UMMAHATUL MOMINEEN HZ AYESHA RZ (ROMAN)

 

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*
    *⚂ HAZRAT AAYESHA RAZ. ⚂* 
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                    *❀__Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki beti thi'n, Aapki Walida ka naam Umme Romaan Tha, Umme Romaan Ka Pehla Nikah Abdullah Azdi naam ke shakhs se hua, Abdullah ki wafaat ke baad Umme Romaan ka Nikah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se hua, Unse Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Yaha'n Abdurrahman aur Ayesha Siddiqa paida hue, Aap Nabuwat ke Paanchve Saal me paida hui'n yani Jab Aap paida hui'n to Nabuwat Ka Elaan hue 4 Saal guzar chuke they aur Paanchva saal guzar raha tha, Goya Aapne Jabse Duniya me Aankh kholi to Aapka gharana musalaman ho chuka tha _,*

*★_ Aan Bachcho ki tarah Aap bhi Bachpan me khel kood ki bahut Shoqeen thi'n, Mohalle ki bachchiya'n Aapke paas jama ho jati, Aap unke saath khela karti thi'n, Nabuwat ke Dasve Saal Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki pehli Bivi Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ne wafaat payi, Us waqt Aap ﷺ ki umr 50 Saal thi, Unki Wafaat ke baad Aap bahut Gamgeen rehne lage they, Aapki Ye Haalat Sahaba Kiraam se chhupi hui nahi thi, Chuna'nche Mash'hoor Sahabi Hazrat Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu ki Bivi Hazrat Khaula bint Hakeem Raziyallahu Anha Aapke paas aayi'n_,*

*★_ Unhone Aapse arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Aap doosra Nikah farma le'n _," Aap ﷺ ne daryaft farmaya :- Kisse Nikah karu'n ? Hazrat Khaula ne arz kiya :- Beva aur Kunwari dono tarah ki ladkiya'n hai'n, Jisse Aap pasand farmaye'n, Uske bare me baat ki ja sakti hai _," Is per Aapne farmaya :- Wo kon hai'n ? Hazrat Khaula ne arz kiya :- Beva to Sauda bint Zam'a Raziyallahu Anha hai'n aur Kunwari Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki beti Ayesha hai'n _," Aapne irshad farmaya :- Theek hai, Tum inke bare me baat karo _,"*

*★_ Hazrat Khaula Aapki marzi pa kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke ghar aayi'n aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke saamne ye baat rakhi, Jaahiliyat ke daur me dastoor ye tha k Jis tarah sage Bhaiyo'n ki Aulaad se Nikah Jaa'iz nahi, Usi tarah Apne moo'nh bole Bhaiyo'n ki Aulaad se bhi Shadi nahi karte they, isi buniyad per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne unse kaha :- Khaula ! Ayesha to Aan Hazrat ﷺ ki bhatiji hai, Aapse uska Nikah kese ho sakta hai _," Hazrat Khaula ye jawab sun kar Aan Hazrat ﷺ ke paas gayi'n aur ye baat Aapko batayi, is per Aapne farmaya :- Abu Bakar mere Deeni Bhai hai'n aur is qism ke Bhaiyo'n se Nikah Jaa'iz hai _,"*

*★_ Hazrat Khaula ne ye baat Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko batayi to Aapne Foran Manzoor kar li, Ab ek aur masla bhi tha k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki baat Hazrat Juber bin Mut'am Raziyallahu Anhu ke bete se tay ho chuki thi, Chuna'nche Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Hazrat Juber bin Mut'am ke paas gaye aur unse farmya :- Tumne Ayesha ki nisbat Apne Bete se tay ki thi, is silsile me tum kya kehte ho ? Us waqt tak Hazrat Juber bin Mut'am ka Khandaan musalaman nahi hua tha, isliye unki Bivi ne kaha :- Agar ye ladki hamare ghar me aa gayi to hamara beta bedeen ho jayega, Lihaza ab hume ye rishta manzoor nahi _," is tarah ye nisbat khud unki taraf se khatm ho gayi _,*
[6/6, 10:49 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha se Nikah se pehle Aan Hazrat ﷺ ne khwab dekha tha k ek Farishta Resham ke kapde me lapet kar koi cheez Aapko pesh kar raha hai, Aapne usse puchha :- Ye kya hai ? Usne kaha :- Aapki Bivi hai _," Aapne Resham ka kapda hata kar dekha to ( Tasveer me ) Ayesha Siddiqa thi'n _," ( Bukhari )*

*★_ Goya Rishta Allah Ta'ala tay farma chuke they, Nikah bahut Saadgi se hua, Aap apni Saheliyo ke saath khel rahi thi'n k Aapki Walida Aayi aur Aapko jaldi se taiyaar kar ke ghar le gayi'n Jaha'n Taqreebe Nikaah ho rahi thi, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne nikah padh diya,*
*"_ Khud Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Jab mera Nikah hua mujhe pata tak na chala, Meri Walida ne bahar nikalne se roka, tab mujhe andaza hua k mera Nikah ho gaya hai, uske baad meri Walida ne mujhe samjha bhi diya _,"*

*★ _ Nikah ke waqt Aapki Umr 6 saal thi, Matlab ye k us waqt sirf Nikah hua tha, Rukhsati baad me hui,*.
*"_ Kuchh muddat guzarne per Musalamano ki Madina ki taraf hijrat ka Silsila shuru ho gaya, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne bhi Aap ﷺ se ijazat maangi lekin Aap unse yahi farmate rahe :- Abu Bakar ! Jaldi na karo, Ummeed hai Allah Ta'ala kisi ko tumhara safar ka saathi bana de _," ye sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Ummeed ho gayi k wo Aan Hazrat ﷺ ke saath hijrat karenge, Chuna'nche Allah Ta'ala ne Aan Hazrat ﷺ ko hijrat ki ijazat de di to Aap Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko le kar Madina Munavvara ke liye rawana hue, Rawana hote waqt Aap dono ne Apne Ahlo Ayaal ko Makka hi me chhod diya tha _,*

*★_ Madina Munavvara pahunchne ke baad Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Raafe Raziyallahu Anhu ko Do oun't aur Paanch So dirham de kar Makka bheja, Taki dono gharano ke logo ko le Aaye'n _,*
*"_ Ye dono Hazraat Makka pahunche to inki mulaqaat Hazrat Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu se hui, Wo bhi Hijrat ke liye taiyar they, Chuna'nche ye Hazraat un dono gharano ko saath le kar Madina Munavvara ki taraf rawana hue, in Hazraat me Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ka Beta Osama, Unki Bivi Umme Eman, Aan Hazrat ﷺ ki Do Betiya'n Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, Aap ﷺ ki Bivi Hazrat Ayesha siddiqa aur Hazrat Sauda Raziyallahu Anhuma ( Hazrat Sauda Raziyallahu Anha se Aapka Nikah Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ke baad hua tha lekin Rukhsati pehle ho gayi thi, Jabki Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki Rukhsati hijrat ke baad hui ) aur Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ke Bhai Abdullah bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Bivi Umme Romaan shamil they _,*
[6/9, 9:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ is Safar me Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha aur unki Walida oun't ke Kajawe me sawaar thi'n, Raaste me ek moqe per unka oun't bidak gaya, is per Umme Romaan ghabra gayi'n aur pukaar uthi'n :- Haay meri Bachchi ! Us waqt Allah Ta'ala ka madad pahunchi, Gaib se Awaaz aayi, "_ Oun't ki nakel chhod do_," Rassi us waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke haath me thi, Aap farmati hai'n, maine nakel chhod di, Esa karte hi oun't araam se thehar gaya, Kisi ko koi nuqsaan na pahuncha _,"*

*★_ Aakhir ye Qafila Madina Munavvara pahuncha, Aan Hazrat ﷺ Masjide Nabvi ke aas paas Apne Ahlo Ayaal ke liye Hujre banwa rahe they, Hazrat Sauda, Hazrat Fatima aur Umme Kulsum Raziyallahu Anhuma ko inhi Hujro me thehraya gaya, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Maa'n Baap ke yaha'n chali gayi'n, Iske Chand Maah baad Shawwal me Aapki Rukhsati hui, Arab ke log Shawwal me Shadi karne ko bura Samajhte they, baad me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmaya karti thi'n :- Allah ke Rasool ﷺ ne Shawwal me nikah kiya aur Shawwal me meri Rukhsati hui, To Ab iske khilaf Musalmano ko karne ka kya haq hai _," matlab ye k Shawwal me Shadi Byaah karna bilkul durust hai, isi tarah Aaj kal Muharram ke mahine me Shadi nahi ki jati ye bhi galat hai _,"*

*★_ Rukhsati se pehle Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me haazir hue thry aur arz kiya tha :- Ey Allah ke Rasool ! Aap apni Bivi ko ghar kyu nahi laate_," Aapne irshad farmaya :- "_ is waqt mere paas Mehar ada karne ke liye raqam nahi hai _," Ye Sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- " _ Aap mujhse Qarz le le'n _," Aapne unki ye baat Manzoor farma li, Unse Qarz le kar Mehar ada kiya, Mehar 500 dirham tha, Rukhsati ki kaifiyat Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha yu'n bayan karti hai'n :-*

*★_ Mai'n Apni Saheliyo ke saath jhoola jhool rahi thi k Walida ne aa kar mujhe awaaz di, Mujhe maloom hi nahi tha k kyu bula rahi hai'n, Mai'n unke paas pahunchi to mera haath pakad kar le chali, mera Sar aur haath moo'nh dhoye, ghar ke andar Ansar ki Aurte'n bethi thi'n, Unhone mera banaav singhar kiya, Fir Aap ﷺ tashreef le aaye, Ye Chaasht ka waqt tha_,"*

*★_ Us waqt Aan Hazrat ﷺ ke paas Dawat ke liye doodh ke ek pyale ke siva kuchh nahi tha, Aap ﷺ ne usme se thoda sa doodh nosh farmya, Fir Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko diya _,"*
[6/9, 10:42 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Chand Doosro Aurto'n ke saath us waqt waha'n Asma binte Umes Raziyallahu Anha bhi thi'n, Wo farmati hai'n :- Allah ki qasam ! Koi Dawat nahi hui, Jab Aap ﷺ ne Sayyada ko doodh diya to Aap Sharmane lagi'n, is per maine kaha - Huzoor ﷺ ka atiya wapas na karna _," Chuna'nche Sayyada ne doodh le liya aur piya, Fir Aapne farmaya:- Apni Saheliyo ko bhi do _," Maine arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Hume bhook nahi hai _," is per Aap ﷺ ne farmaya :- "Bhook aur jhoot ko jama na karo _," ( Musnad Ahmad 6/438)*

*★_ Matlab ye tha k Agar bhook ho to yu'n na kaho k hume Bhook nahi hai Ye jhoot ho jayega, Garz is qadar Saadgi se Rukhsati hui, Hazrat Ayesha Siddiqa farmati hai'n :- Allah ki qasam ! Meri Rukhsati me na koi oun't zibeh kiya gaya na koi Bakri, haa'n khane ka ek pyala tha wo bhi Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyallahu Anhu ne Aap ﷺ ki khidmat me bheja tha _," ( Musnad Ahmad -6/210)*

*★_ Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Chunki kam Umar me Aap ﷺ ke ghar aa gayi thi'n isliye Aapki Tarbiyat Aap ﷺ ki nigrani me hui, Usi Zamane me Aapne padhna likhna seekha, Aapka Hujra Chunki Masjid ke saath hi tha isliye Nabi Kareem ﷺ ki tamaam baate sunti rehti thi'n, koi baat samajh me na aati to bila jhijhak poochh leti thi'n _," ( Bukhari -1/21)*

*★_ Iski misaal yu'n hai k Ahadees ki kutub me beshumar Masail ese hai'n Jo Sayyada ke poochhne se ummat ko maloom hue, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Aap ﷺ ke saath 9 Saal guzare aur in 9 saalo me khoob ilm haasil Kiya, Sayyada Aan Hazrat ﷺ se sawalaat poochh poochh kar Apne ilm me izafa karti rahi'n, Aap ﷺ khud bhi ye baat pasand farmate they k wo Sawalaat poochhe'n taki doosri Aurto'n ko Masail bata sake'n _,"*
[6/9, 10:58 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ imaam Zahri farmate hai'n:- Aan Hazrat ﷺ ki tamaam Biviyo aur unke alawa baqi tamaam Aurto'n ka ilm jama kiya jaye ti Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ka ilm sabse bada hua hoga _,"*
*"_ Hazrat Masrooq Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke khaas Saagird they, Wo farmate hai'n :- Umr me Budhe log Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se fara'iz ( Miraas ) ke bare me maloom kar liya karte they _,"*

*★_ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Hum Ashabe Rasool ﷺ ko jab bhi ilmi uljhan pesh aati to hum iske bare me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se poochha karte they, Jab bhi humne unse kuchh poochha unhe us masle ke bare me zaroor maloom hota tha _," is tarah bahut se Sahaba aur Taaba'in Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saagird hai'n _,*

*★_ Ek Roz Aan Hazrat ﷺ ne Allah se Dua ki :- "_Ya Allah ! Mujhse asaan hisaab lena _," Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Asaan hisaab ki kya soorat hogi ? Aap ﷺ ne farmaya :- A'maal Naama dekh kar dar guzar kar diya jayega _," ( yani ye hai Asaan hisaab )*
*"_ Fir farmaya :- Yaqeen jano jiske hisaab me chhan been ki gayi, Ey Ayesha wo halaak ho gaya kyunki jiske hisaab kitaab ki chhan been hogi wo hisaab de kar kamyaab nahi ho sakega _,"*

*★_ Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- Ey Ayesha ! Qayamat ke din log nange Paa'nv nange badan bager khatna ke uthaye jayenge _," ( yani Jese Maa'n Ke pet se paida hue hai'n ), Ye Sun kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ya Rasulallah ﷺ ! Ye to bade sharm ka muqaam hoga, Kya Mard Aurat sab nange honge, Ek doosre ko dekhte honge _," Sayyada ke jawab me Aapne farmaya :- Ey Ayesha ! Qayamat ki sakhti is qadar hogi aur log is qadar be haal honge k kisi ko kisi ki taraf dekhne ka hosh nahi hoga, Musibat itni hogi k kisi ko iska khayal tak nahi aayega _,"*
[6/9, 11:19 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek baar Aap ﷺ ne ye Dua maangi :- Ey Allah ! Mujhe Miskeen Zada rakh aur Miskeeni ki haalat me mujhe is Duniya se utha le aur Qayamat me mera Hashr Miskeeno me karna _,"*
*"_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Aapne esi dua kyu ki ? Jawab me Aapne irshad farmaya :- isliye k bila Shubha Miskeen log maaldaro se 40 saal pehle Jannat me dakhil honge _,"*
*"_ iske baad Aapne farmaya :- Agar Miskeen Saa'il ki haisiyat se aaye to use kuchh diye bager waapas na lauta'o aur kuchh nahi to khajoor ka ek tukda hi de do _,"*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k maine poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Ye jo Allah Ta'ala ne farmaya hai,.... Aur wo log jo Allah ki raah me dete Hai'n aur unke Dil khof Zada hote Hai'n k wo Apne Rab ke paas jane wale hai'n.... To un khof Zada logo se kon log muraad hai, kya wo log muraad hai'n Jo sharaab pite hai'n aur choriya'n karte hai'n_,"*
*"_ Aap ﷺ ne jawab me irshad farmaya :- Ey Siddiq ki beti, nahi, Allah ke is Farman se ese log muraad nahi balki is Aayat me Allah Ta'ala ne ese logo ki tareef farmayi hai Jo Roza rakhte hai'n aur Namaz hai'n aur Sadqa dete Hai'n aur iske bavjood is baat se darte hai'n k kahi'n esa na ho k unke Aamaal Qubool hi na kiye jaye, ese hi logo ke bare me Allah Ta'ala ne farmaya hai :- Ye log Nek kaamo me tezi se badte hai'n _,"*

*★_ Ek martaba Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- Jo Shakhs Allah ki mulaqaat ko Mehboob rakhta hai Allah Ta'ala uski Mulaqaat ko Mehboob rakhte hai'n aur jo shakhs Allah Ta'ala ki mulaqaat ko na pasand karta hai to Allah Ta'ala uski Mulaqaat ko na pasand farmate hai'n _,"*
*"_ Ye Sun kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ye to Aapne bahut ghabra dene wali baat suna di, Maut hum sabko tab'an buri lagti hai Lihaza iska matlab to ye hua k humme se koi shakhs Allah Ta'ala ki mulaqaat ko pasand nahi karta, Lihaza Allah Ta'ala bhi humme se kisi ki mulaqaat ko pasand nahi karte _,"*

*"_ Iske jawab me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- iska ye matlab nahi balki iska matlab ye hai k Jab Momin ki maut ka waqt aa jata hai to use Allah Ta'ala ki taraf se inamaat ki khush khabri sunayi jati hai Lihaza uske nazdeek isse zyada koi cheez Mehboob nahi reh jati Jo marne ke baad use pesh aane wali hai'n, is vajah se wo Allah Ta'ala ki mulaqaat ko chahne lagta hai, Lihaza Allah Ta'ala bhi uski Mulaqaat ko chahte hai'n aur bila Shubha jab Kaafir ki maut ka waqt aata hai to use Allah Ta'ala ke Azaab aur Allah Ta'ala ki taraf se saza milne ki khabar di jati hai Lihaza uske nazdeek koi cheez isse zyada na pasandida nahi hoti Jo marne ke baad use pesh aane wali hai, isi vajah se Allah Ta'ala ki mulaqaat ko pasand nahi karta _,"*
[6/14, 4:55 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek martaba Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Kya Aurto'n per Jihaad Farz hai ? Aap ﷺ ne farmaya :- Haa'n Aurto'n per esa Jihaad Farz hai jisme Jung nahi yani Hajj aur Umra _,"*

*★_ Ek Roz Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Koi Shakhs Allah ki rehmat ke bager Jannat me dakhil nahi hoga Yahi baat hai na _," Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n yahi baat hai, Koi Shakhs Allah ki Rehmat ke bager Jannat me dakhil nahi ho sakta _," Aap ﷺ ne teen martaba yu'nhi farmaya, Ab Hazrat Ayesha ne poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Kya Aap bhi Allah ki Rehmat ke bager Jannat me dakhil nahi honge _,"*
*"_ Aapne Peshani per haath maar kar farmaya :- Haa'n ! Mai'n bhi Jannat me dakhil nahi hu'nga Jab tak k Allah mujhe Apni Rehmat me na dhaa'np le _," Aapne teen martaba yahi farmaya _,*

*★_ Ek martaba Sayyada Ayesha ne Aan Hazrat ﷺ se poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Agar mujhe maloom ho jaye k Laylatul Qadr ki Raat konsi hai ya ye maloom ho jaye k Aaj Laylatul Qadr hai to Mai'n kya maangu _," Aapne irshad farmaya :- Ye Dua maango, ..... Ey Allah ! Bila Shubha tu maaf karne wala hai, maaf karne ko pasand karta hai, Lihaza tu mujhe maaf farma de _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Sab Biviyo se zyada muhabbat thi, Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne ek Roz Aapse poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Aapko sabse zyada Mehboob kon hai _," Aapne farmaya :- "Ayesha _,"*
*"_ Ab Unhone poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Mai'n ye poochhna chahta tha k Mardo'n me sabse zyada muhabbat kisse hai _," Aapne farmaya :- "Unke Waalid Abu Bakar se _," ( Bukhari )*
[6/15, 5:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ek Gazwe ke liye tashreef le gaye, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne diwaar per ek achchha sa parda latka liya, Jab Aap waapas tashreef laye to us parde ko is zor se khee'ncha k wo fat gaya, Fir Aap ﷺ ne farmaya :- Beshak Allah Ta'ala ne hume hukm nahi diya k hum Pattharo aur mitti ko libaas pehnaye'n _,"*

*★_ Ek martaba chand Yahoodi Aan Hazrat ﷺ ke paas aaye, Unhone dabi awaaz me Assalamu Alaikum ke bajaye Assamu Alaikum kaha, Saam maut ko kehte Hai'n, matlab ye hai k Unhone maut ki bad dua di yani tum per maut ho,...Aap ﷺ ne jawab me sirf itna farmaya - Wa Alaikum_( yani aur tum per maut ho ), Aap ﷺ ne to bas itna hi farmaya, lekin Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha gusse me aa gayi'n aur farmane lagi :- Tum per maut ho, Allah ki laanat ho aur Allah ka gazab naazil ho _,"*
*"_ ye sun kar Aan Hazrat ﷺ ne farmaya:- "_Ey Ayesha thehro ! Narmi Akhtyar karo aur bad kalami se bacho _," Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz kiya :- "Aapne Suna nahi, Unhone kya kaha hai _," Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- "Aur tumne suna maine kya jawab diya, Maine unki baat un per lota di, Ab Allah Ta'ala meri bad dua unke haq me qubool farmayenge... Aur unki bad dua mere haq me qubool nahi hogi _,"*

*★_ Ek martaba Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Hazrat Safiya Raziyallahu Anha ke bare me keh diya k unka Qad chhota hai, Aan Hazrat ﷺ ne Aapko foran toka aur farmaya :- Yaqeen jaan lo, Tumne esa kalma keh diya hai k Agar use Samandar me mila diya jaye to use bhi bigaad de _,"*
*"_ Ek Roz Aapne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se farmaya :- Ey Ayesha ! Chhote Gunaaho se bhi bacho, kyunki Allah ki taraf se unke bare me bhi pakad hone wali hai _,"*

*★_ Ek martaba Allah ke Rasool ﷺ ne Aapko ye Nasihat farmayi :- "_ Ayesha ! Agar tu Aakhirat me mujhse milna chahti hai to tujhe duniya me bas itna samaan kaafi hai jitna musafir apne saath le kar chalta hai aur maaldaro ke paas bethne se parhez kar aur kisi kapde ko purana samajh kar pehanna mat chhodo jab tak k usko peband laga kar na pehan lo_,"*
*"_ Hazrat Amru bin Zuber Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- "_ Khala jaan is Nasihat per Amal karte hue naya kapda us waqt tak nahi banati thi'n Jab tak k pehli banaye hue kapde ko peband laga kar nahi pehan leti thi'n aur jab tak k wo khoob bosida nahi ho jata tha _,"*
[6/15, 6:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "_ Nabi Kareem ﷺ ke duniya se tashreef le jane ke baad Sabse musibat ummat me ye paida hui k Pet bhar kar khaane lage,... Jab pet bharte hai'n to badan mote ho jate hai'n aur nafsani khwahish zor pakad leti hai _,"*

*★_ Ek martaba Aapne farmaya :- "_ Gunaaho ki kami se behtar koi poonji esi nahi jise tum le kar Allah Ta'ala se mulaqaat karo, Jise ye khushi ho k ibaadat me mehnat karne wale se baazi le jaye, use chahiye k khud ko Gunaaho se bachaye _,"*

*★_ Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anha ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko ek khat likha, Us khat me Apne liye nasihat karne ki farma'ish ki, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne jawab me farmaya :- "_Tum per Salam ho, baad Salam ke waaze ho k maine Rasulallah ﷺ se suna hai k Jo Shakhs logo ki naraazgi ka khayal na karte hue Allah Ta'ala ki raza ka Taalib ho, Allah Ta'ala use logo ki shararto se bhi mehfooz farmate hai'n aur jo shakhs Allah Ta'ala ko naraaz kar ke logo ko Raazi rakhna chahta ho to Allah Ta'ala uski madad nahi karte, Use logo ke hawale kar dete Hai'n,... Wassalam Alaika _," ( Mishkaat )*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Deen ka ilm doosro tak pahunchane ka Fariza anjaam diya, Unke Shagirdo'n ki tadaad 200 ke qareeb hai, Unme Sahaba Kiraam bhi hai'n aur Taaba'in bhi, Aapne Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad 48 saal is duniya me guzare,... Goya 48 saal tak Deen failaya, Aap taqriban 2200 Ahadees ki Raaviya'n hai'n, Aapse Deen Seekhne ke liye aane wale logo me Aurte'n to Aapke Saamne Beth jaati thi'n, .. Mard Hazraat parde ke doosri taraf Bethte they,.. ye log Aapse deeni Sawalaat karte they aur Aap unhe jawab batati thi'n _,"*

*★_ Aap har saal Hajj Baitullah ke liye jaati thi'n, Us moqe per bhi log door door se aa kar Aapke paas jama ho jate, Aap apne khaime me Beth jaati'n, Sawalaat poochhne wale khaime se bahar reh kar poochhte, Fatwe poochhne walo ki bheed lagi rehti thi,*
*"_ Hazrat Umar aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhum Jese bade Sahaba bhi Aapse Masa'il maloom karne wale they, Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu Shaam me hote they, Waha'n se Qaasid ke zariye Masa'il maloom karate aur un per Amal karte they, Bahut se log khutoot ke zariye Aapse Sawalaat poochhte they _,"*
[6/16, 7:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Bahut se log Khutoot ke zariye Aapse Sawalaat poochhte they, Ayesha bint Talha Aapki khaas Shagird thi'n, Wo Khutoot padh kar sunati aur poochhti :- Ey Khala jaan ! Mai'n is khat ke jawab me kya likhu _," Aap farmati :- "Ey Beta ! iske jawab me likh do.... Aur Hadiye ka badla de do _,"*

*★_ Hazrat Aswad Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Maine Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se poochha :- "_ Aan Hazrat ﷺ Apne Ghar me kya karte they ? Aapne bataya :- "Apne Ghar me kaam kaaj me mashgool rehte they aur namaz ka waqt aata to namaz ke liye tashreef le jate, Aap Apni jooti ki marammat khud kar lete they, Apne gharelu kaam is tarah kar lete they Jis tarah aam log kar lete hai'n,.... Aap insaano me se ek insaan they, Apne kaam khud kar lete they_,"*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Aap ﷺ ki Ha'nsi ke bare me poochha gaya, Aapne farmaya :- "Maine Aap ﷺ ko kabhi poore Daa'nto aur Daadho ke saath ha'nste nahi dekha jisse Aapke halaq mubarak ko dekha ja sakta, Aap to bas muskurate they _,"*
*"_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "Aapne apne haath mubarak se kabhi kisi ko nahi maara, na kisi Bivi ko na kisi khaadim ko, Haa'n Allah ki raah me jihaad karte hue Allah ke dushman ko maara ho to aur baat hai, Agar Aapko kisi se koi takleef pahunchti to Aap uska badla nahi lete they, Haa'n Allah ke hukm ke khilaf kisi se koi kaam ho jata to Aap Allah ke liye use saza dete they _,"*

*★_ Aap farmati hai'n :- "Sayyade Do Aalam ﷺ namaze Tahajjud se faarig ho kar jab fajar ki do sunnat padh lete aur Mai'n jaag rahi hoti to Aap masjid me jane tak mujhse baate kar lete they ya Daahini karwat me let jate _," (Muslim)*

*★_ Aap farmati hai'n :- "Sayyade Do Aalam ﷺ jab Raat ko namaz ( Nifl ) padhne ke liye khade hote they to pehle Mukhtasar do raka'at padhte they, Uske baad lambi soorto se namaz ada farmate aur Gair Farz Namazo me jis qadar Fajar ki Do raka'ato ka khaas Ahatmam farmate they aur kisi gair Farz namaz ka ahatmam nahi farmate they, Aap ﷺ ne farmaya, "Fajar ki Do Sunnate saari duniya aur jo kuchh duniya me hai sabse behtar hai _," ( Muslim )*

*★_ Aap farmati hai'n :- Rasulallah ﷺ meri goad me sar rakh kar let kar Qur'an ki tilawat kar lete they, Hala'nki Mai'n un dino Ayyam se hoti thi _,"*
[6/16, 8:41 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ pet bharne aur mazedaar cheeze haasil karne aur samaan jama karne ko na pasand farmate they, Ek martaba Aap ﷺ ne farmaya :- "Ey Ayesha ! Agar Mai'n chahu'n to mere saath sone ke pahaad chale, magar Maqsad ye hai k mere paas ek Farishta aaya, Uske qad ka haal ye tha k uski kamar Kaabe tak pahunch rahi thi, Usne mujhse kaha k Aapke Rab ne Aapko salam farmaya hai k Agar Aap chahe'n to Aam Bando me banda aur Nabi ban kar rahe'n aur Aap chahe'n to Nabi aur Badshah ban kar rahe'n,... Maine is bare me Jibrai'l Alaihissallam se mashwara lene ke liye unki taraf dekha to unhone ishara kiya k Tawazo Akhtyar Kare'n, So Maine jawab diya k Mai'n Nabi hote hue aam Bando ki tarah rehna chahta hu'n, Ye farmane ke baad Aapne mujhse farmaya :- "_ Mai'n is tarah khane khata hu'n Jese Gulaam khata hai aur is tarah bethta hu'n Jese Gulaam bethta hai _,"*

*★_ Hazrat Mashrooq reh. Farmate hai'n :- Mai'n ek martaba Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki khidmat me haazir hua, Unhone mere liye khana mangwaya, fir farmaya :- "Agar Mai'n Pet bhar kar kha lu'n to rona aa jata hai _," Maine ye baat sun kar kaha :- Ye kyu ? Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "Mai'n us haal ko yaad karti hu'n jis haal me rehmate Aalam ﷺ duniya ko chhod kar tashreef le gaye hai'n, Allah ki qasam kisi roz bhi Aap ﷺ ne gosht aur roti se pet nahi bhara _," ( Tirmizi )*
*"_ Fir Aapne ye bhi farmaya:- "Hum agar chahte to pet bhar kar kha lete lekin Waqia ye hai k Aan Hazrat ﷺ Apne nafs per Doosro ko tarjeeh dete they _,"*

*★_ Ek Roz Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Hazrat Amru bin Zuber Raziyallahu Anhu se farmaya :- "Ey meri Behan ke bete, Sach jaano ! Hum teen chaand dekh lete they aur ghar me aag nahi jalti thi_," Hazrat Amru bin Zuber Raziyallahu Anhu ne poochha :- " Khala jaan ! Fir Aap Hazraat zinda kese rehte they ? Aapne farmaya :- " Khajooro aur paani per guzara kar lete they aur iske siva ye bhi hota tha k Aan Hazrat ﷺ ke padosi Ansar Apne doodh aur jaanwaro ka Hadiya bhej diya karte they, Aap unka doodh hume bhi pilate they _," ( Bukhari )*

*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- "Aap ﷺ ke ghar walo per bager Charaag Roshan kiye aur bager Chulha jalaye ka'i Ka'i maah guzar jate they, Agar Zetoon ka tel mil jata to thoda sa hone ki vajah se Charaag me daalne ke bajaye use Badan per mal lete they, Charbi mil jati to use khane me istemal kar lete they _," ( Bukhari )*
   
[6/16, 11:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :-." Mai'n Aan Hazrat ﷺ ke saamne ( Tahajjud ki namaz ke waqt ) so jati thi aur mere Paa'nv Aapke saamne Sajde ki jagah faile hote they, Jab Aap Sajde me jate to mere Paa'nvo ko haath laga dete taki Mai'n Paa'nv hata lu'n aur Sajde ki jagah ban jaye, Lihaza Mai'n Paa'nv sikod leti, Jab Aap Sajde se faarig ho jate to Mai'n Paa'nv faila deti, Us zamane me ghar me Charaag nahi they _,"*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Sayyade Aalam ﷺ Jis bistar per sote they Wo Chamde ka tha, Usme khajoor ki chhaal bhari thi, Jis Takiye per Aap Sahara laga kar Betha karte they usme bhi khajoor ki Chhaal hoti thi, Aan Hazrat ﷺ ke mubarak ghar me kapde bhi zyada nahi they, Baaz martaba esa hua k Aap ﷺ ka kapda Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne paak kiya to Aap usi ko pehan kar Masjid me namaz ke liye tashreef le gaye, yani abhi wo kapda geela hota tha _,"*

*★_ Hazrat Na'afe Reh. Farmate hai'n :- "_ Mai'n Shaam aur Misr ka maal doosre ilaaqo me Tijarat ke liye le jata tha, Ek martaba Iraaq me gaya, Waapas aaya to Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki khidmat me haazir hua aur unhe bataya :- "_Mai'n pehle Tijarat ka samaan le kar Shaam jata tha, is martaba Iraaq le gaya... Yani is bare me Aapki kya Raay hai _," Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "_Tumne esa kyu kiya, Tijarat ke liye apna Saabqa ilaaqa kyu chhodte ho, Maine Sayyade Aalam ﷺ se suna hai k Jab Allah jallshanhu tumhare liye kisi zariye Rizq ke Asbaab Paida farmate hai'n to jab tak wo sabab khud hi badal na jaye ya doosra rukh Akhtyar na kar le use na chhodo _,"*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k mujhe in cheezo ki Fazilat haasil hai :- "Nikaah se Jibrai'l Alaihissallam meri tasveer le kar Aan Hazrat ﷺ ke paas aaye, Mere alawa aur esi Aurat Aap ﷺ ke nikah me nahi aayi Jiske Maa'n Baap dono ne Hijrat ki ho, Allah Ta'ala ne Asmaan se meri Bara'at naazil farmayi ( yani mujh per lagne wale ilzam ko jhoota qaraar diya ) Rehmate Aalam ﷺ per is haalat me wahi aati thi k Mai'n Aapne saath lihaaf me leti hoti thi, Aap ﷺ ne is haalat me wafaat payi k Aap meri gardan aur goad ke darmiyan me they aur Din meri baari ka tha aur mere hi ghar dafan hue, Maine Jibrai'l Alaihissallam ko dekha, Mai'n Aan Hazrat ﷺ ki sabse pyari Bivi thi, Jis waqt Aap ﷺ ki wafaat hui us waqt mere aur Farishto ke alawa waha'n koi mojood nahi tha _," ( Al Asaba )*

*★_ Aan Hazrat ﷺ farmate hai'n :- "Ayesha ki Fazilat Aurto'n me esi hai jese Sareed ki Fazilat tamaam khaano per hai _," Sareed ko Arab me Tamaam Khaano me Fazilat haasil thi, Roti ko Shorvedaar gosht me pakaya jata tha, Use Sareed kehte Hai'n _,"*
[6/18, 9:53 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Jibrai'l Alaihissallam Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me haazir hue aur Aap ﷺ ke zariye Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko salam kiya, Aap ﷺ ne farmaya :- Ey Ayesha ! Ye Jibrai'l hai'n, Tumhe Salam keh rahe hai'n _," Aapne jawab me farmaya :- Wa Alaikum Assalam Wa Rahmatullahi WA Barakatuhu _,"*

*★_ Aap Aksar Roze rakhti thi'n, Chaasht ki namaz ka khaas khayal rakhti thi'n, Aap Chaasht ki 8 raka'ate padhti thi'n aur farmaya karti thi'n :- Mere Maa'n Baap bhi agar Qabr se uth kar aa jaye'n Tab bhi Mai'n is namaz ko nahi chhodungi _,"*

*★_ Hazrat Kaasim bin Muhammad bin Abi Bakar Reh. Subeh ke waqt ghar se nikalte to Sabse pehle Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke ghar jate aur unhe Salam karte, Ye unke Bhai ke bete they, Ek martaba waha'n gaye to dekha k Aap Nifl padh rahi hai'n, Mai'n unke Salam fairne ke intezar me khada raha,... Yaha'n tak k thak gaya aur Aapko usi haalat me chhod kar chala aaya, maine dekha wo us waqt ro rahi thi'n _, (Safatul Safwah )*

*★_ Aap Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke saath bhi Tahajjud padhti thi'n, Aap ﷺ ke baad bhi iska Ahatmam karti rahi'n _," ( Musnad Ahmad )*
*"_ Aap Kasrat se Roza rakhti thi, Ek martaba 9 Zihhijja ko Roze se thi'n, Sakht garmi ki vajah se Sar per Pani ke Chhee'nte de rahi thi'n, Aapke Bhai Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu ne ye haal dekh kar arz kiya :- "_ is Shadeed garmi me nifli Roza koi zaroori nahi.... Aftaar kar le'n ( Yani Roza tod de'n ) iske jawab me Aapne farmaya :- "_ Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya hai, Arfa ke Din Roza rakhne se Saal bhar ke Gunaah maaf ho jate hai'n _," ( Mishkaat )*

*★_ Shari'at ne jin cheezo se mana kiya hai Aap unme chhoti chhoti cheezo se bhi bachti thi'n, Raaste me ghanti ki awaaz aa jaati to ruk jaati taki Awaaz Kaano me na aaye, Nekiyo'n ko failane ke saath saath Buraiyo'n se rokti bhi thi'n, Aapne ek makaan kiraye per diya, Kirayedaar ke bare me Aapko maloom hua k wo Shatranj khelta hai, Aapne kehalwa bheja :- "is harkat se Baaz aa jao ...varna makaan se nikalwa dungi _,"*
[6/21, 5:08 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Aapki Mash'hoor Shagird Hazrat Ma'aza Adviya Raziyallahu Anha ne Aapse puchha :- "_Ye kya baat hai k Aurto'n ki Namaze Khaas Ayyam me chhoot jaati hai'n Wo nahi padhi jaati aur Jo Roze Chhoot jaate Hai'n Wo Ramzan ke baad rakhe jaate Hai'n _," is Sawal ke jawab me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "Ey Ma'aza ! Kya tu Azaad khayal ho gayi hai _," ( islam ko Apni samajh ka taabe karna chahti hai aur islam ke ahkamaat ko samjhe bager maanna pasand nahi karti )*
*"_ Aapka matlab ye tha k Deen ko Aqal ke taabe nahi karna chahiye... Jo log esa karte hai'n wo gumraah hai'n _,*

*★_ Shari'at me baaz Awqaat wazu ya Gusl ki jagah Tayammum kiya jaata hai, Ummat ke liye isme bahut asaani hai,.. ye Tayammum ka hukm bhi Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki vajah se Naazil hua, Waqie ki tafseel ye hai, Aap farmati hai'n :-*
*"_ Hum Rasulullah ﷺ ke saath Safar me gaye, bahut se Musalaman saath they, Raat ke waqt maqaame Bayda me qayaam kiya gaya, Waha'n mere haar ki ladi toot gayi, Aap ﷺ ne use dhoondhne ka hukm farmaya, is tarah Namaz me dayr ho gayi aur waha'n pani nahi tha, Yaani haar gum na hota to sab log aage rawana ho jaate aur paani mil jaata, is per kuchh log Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke paas aaye aur kehne lage :- Aap dekh rahe Hai'n Aapki beti ne kya kiya, Unke haar ki vajah se Aap ﷺ ne sabko rok liya hai aur Yaha'n qareeb kahi'n paani nahi hai _,"*

*★_ Unki baat Sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke paas aaye aur Aapko daa'ntne lage, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne unhe daa'ntne ke saatb kamar me kachoke bhi maare, Us waqt Aan Hazrat ﷺ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki raan per sar rakh kar so rahe they, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne is khayal se harkat tak na ki k Aapki Aan'kh khul jayegi aur Aap be araam ho'nge, Aap sote rahe Yaha'n tak k Subeh ho gayi aur paani mojood nahi tha, Lihaza Allah Ta'ala ne Tayammum ki aayat naazil farma di, Sabne Tayammum kiya aur Namaz ada ki, Ye sab dekh kar Hazrat Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu khushi se pukaare :- Ey Abu Bakar ke ghar walo ! Tum waqa'i bahut Barkat wale ho, Ye tumhari pehli hi Barkat nahi hai _," yani pehle bhi tum logo ki vajah se barkate naazil ho chuki hai'n _,"*

*★"_ Fir jab Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha wale oun't ko uthaya gaya to Aapka Haar uske niche se mil gaya, is tarah ummat ko Tayammum ki sahulat mili _,*
[6/22, 9:11 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aapke Bhanje Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu kehte Hain' :- Maine Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se badh kar Qur'an ka ilm rakhne wala koi nahi dekha, na islam ke fara'iz, Halaal v Haraam ka jaanne wala aur Arab ke Waqiaat ka jaanne wala Aapse badh kar koi dekha, Aap Ahle Arab ke Nasab ki bhi sabse zyada waaqif thi'n, iske alawa Aap hikmat bhi jaanti thi'n, logo ko amraaz ki davaye'n bata deti thi'n _,"*

*★_ Isliye Ek martaba Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se puchha :- Amma Jaan ! Mujhe Aapke Faqiha hone per hairat nahi kyunki Aap ﷺ ki Zoja Mohatram hai'n aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Sahabzaadi hai'n aur na mujhe Aapki Shayrdani per aur Arab ke Waqiaat se waqfiyat per hairat hai Kyunki Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki sohbat me Aapne Ye Sab seekh liya, lekin mujhe hairat is baat per hai k Aapko Tib se kyu'n kar waqfiyat ho gayi _,"*
*"_ is Sawal ke jawab me Aapne Hazrat Urwah ke kandhe per haath maar kar farmaya :- "_ Urwah Beta ! Tib maine is tarah seekhi k Aan Hazrat ﷺ Aakhri Umr me bimaar ho jate they aur Log door door se aaya karte they, Wo Aap ﷺ ko ilaaj ke tariqe aur davaye'n batate they aur Mai'n unke zariye Aapka ilaaj karti thi _,"*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha nihayat sakhi thi'n, Unki Behan Asma binte Abi Bakar Raziyallahu Anha ka bhi Sakhawat me bahut bada darja tha, Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- Maine Hazrat Ayesha aur Hazrat Asma se badh kar koi sakhi Aurat nahi dekhi lekin dono ki Sakhawat me ek farq ye tha k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha thoda thoda jama karti thi'n Yaha'n tak k jab kaafi miqdaar jama ho jati to Zarurat mando me taqseem farma deti thi'n aur Hazrat Asma Raziyallahu Anha ka haal ye tha k Kal ke liye kuchh bacha ke nahi rakhti thi'n _,"*

*★_ Hazrat Urwah Raziyallahu Anhu Apna Aankho'n dekha Waqia bayan farmate hai'n :- Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne ek Roz 79 hazaar ki maaliyat Zarurat mando me taqseem farma di aur Apna haal ye tha k taqseem karte waqt Aapke Kurte me Peband lage hue they _,"*
[6/22, 9:48 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu ne ek thaali Sachche Moti bhar kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me Bator Hadiya bheje, Unki qeemat ek laakh rupiya thi, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ye Hadiya Qubool kar ke Apne alawa Aan Hazrat ﷺ ki tamaam Biviyo me taqseem farma diya _,"*

*★_ Ek Roz Aapka Roza tha, Usi Roz Aapke Bhaanje Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne do bore bhar kar Hadiya ke tor par bhej diye, Us maal ki maaliyat Do laakh ke qareeb thi, Aap usi waqt taqseem karne Beth gayi'n, Jab Shaam hui to usme se ek dirham bhi baqi nahi bacha, Roza Aftaar karne ka waqt aaya to khaadima se farmaya :- Aftaar ke liye kuchh laao _," wo Zaitoon ka tel aur Roti le aayi'n, Us waqt Aapke paas ek khatoon Umme Zar'a bethi thi'n, Unka bhi Roza tha, Wo bol uthi'n :- Aapne Aaj itna maal taqseem kiya, usme se ek dirham Apne liye bhi rakh liya hota, Uska gosht manga lete, Usse hum Aftaar kar lete _,"*
*"_ is per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Ab kehne se kya hota hai, Us waqt yaad dilaya hota to Mai'n rakh leti _,"*

*★_ Ek Waqia Aap khud bayan farmati hai'n :- Ek Din mere paas ek Aurat aayi, Uske Saath do ladkiya'n thi, Usne Sawal kiya, Us waqt mere paas ek Khajoor ke siva kuchh nahi tha, Maine wahi use de di, Usne us Khajoor ke do tukde kiye aur ek ek tukda dono bachchiyo ko de diya, Khud na liya, Uske baad wo chali gayi, Thodi der baad Rehmate Aalam ﷺ Zanaan Khaane me tashreef laye, Maine Aapse ye Waqia bayan kiya, Aapne farmaya :-*
*"_ Jo Shakhs un Bachchiyo ki Parwarish me thoda bahut bhi mubtila kiya gaya aur usne unke saath achchha bartaav kiya, to ye ladkiya'n uske liye Dozakh se Aad ban jayengi _,"*

*★_ Ek Roz Aapke ghar me bakri zibeh ki gayi, Aan Hazrat ﷺ us waqt kisi zarurat ke tahat bahar tashreef le gaye, Kuchh der baad tashreef laye to daryaft farmaya :- "_ Bakri ka kya hua ? Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Wo to Sadqa kar di gayi, bas ek dasti bachi hai _,"*
*"_ is per Aapne farmaya :- Waqia ye hai k is dasti ke alawa sab kuchh bacha hua hai ?" Matlab ye tha k Jo Allah ke raaste me de diya, baqi wohi hai aur Jo hamare paas hai use to baqi kehna durust nahi _,"*
[6/26, 8:40 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap Allah Ta'ala se bahut darne wali, Aakhirat ki bahut Fikr karne wali thi'n, Ek martaba Dozakh ka khayal aa gaya to Rone lagi'n, Aap ﷺ ne rone ka sabab puchha to boli :- Dozakh ka khayal aa gaya, isliye ro rahi hu'n _,"*
*_ Ek Roz Aap ﷺ se kehne lagi'n :- Ey Allah ke Rasool ! jabse Aapne Munkar Nakeer ki haibat naal Awaaz ka aur Qabr ke bhee'nche jane ka zikr farmaya hai, us waqt se mujhe kisi cheez se tasalli nahi hoti, Dil ki pareshani door nahi hoti _,"*
*"_ Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Ey Ayesha ! Munkar Nakeer ki Awaaz ka momin ke kaano ko dabana esa hota hai Jese Kisi ke sar me dard ho aur Uski Shafeeq Maa'n uske sar ko Aahista Aahista dabaye aur wo usse Raahat paye _,"*

*★_ Fir Aapne farmaya :- Ey Ayesha ! Allah ke bare me Shak karne walo ke bare me badi kharabi hai aur Wo Qabr me is tarah bhee'nche jayenge jese Ande per patthar rakh kar daba diya jaye _,"*

*★_ Aap farmati hai'n k ek roz Aapke ghar me ek Yahoodi Aurat aayi, Usne Qabr ke Azaab ka zikr kiya, Saath hi usne kaha :- Allah Ta'ala tujhe Qabr ke Azaab se panaah me rakhe _,"*
*"_ Aan Hazrat ﷺ ghar me tashreef laye to maine Aapse puchha :- Ey Allah ke Rasool ! Kya Qabr me Azaab hota hai ? Aapne irshad farmaya :- Qabr ka Azaab Haq hai _," iske baad maine dekha k Aap ﷺ har Namaz ke baad Qabr ke Azaab se panaah maangne lage _,"*

*★_ Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne Apni khaala ki be panaah Sakhawat ko dekh kae ek din kisi se yu'n keh diya :- Ya to wo is tarah kharch karne se ruk jaye'n Varna Mai'n unka haath rok dunga _,"*
*"_Ye baat Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha tak bhi pahunch gayi, Aapne farmaya :- Achchha ? Abdullah ne esa kaha hai _," Haazireen me se kisi ne kaha :- Ji haa'n ! Unhone esa hi kaha hai _," Ye sun kar Aapne farmaya :- Maine Nazar maan li, Zuber Raziyallahu Anhu ke Bete se kabhi nahi bolungi _,*
*"_ Uske baad Ek muddat se bol chaal band rakhi, Fir kuchh Hazraat darmiyan me pade, Tab kahi'n ja kar bolna shuru kiya, Aap Chunki Nazar maan chuki thi'n aur Nazar ke tootne per ek gulaam Azaad karna padta hai, isliye ek gulaam Azaad kar diya, Lekin Khofe Khuda ka Aalam ye tha k ek Gulaam Azaad karne ke baad bhi baat baar is silsile me gulaam Azaad karti rahi'n k shayad ab khata maaf ho jaye, Ab maaf ho jaye _,"*
[6/27, 9:09 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aapse Umr me Chand Saal badi thi'n, lekin Unki Shaadi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se baad me hui thi, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Aap ﷺ ke ghar me pehle aa gayi'n thi'n, Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki Shaadi ki Taiyariyo me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne bharpoor hissa liya, Unka makaan leepa, Bistar lagaya, Apne haath se khajoor ki Chhaal dhun kar Takiye banaye, Lakdi ki Alagni Taiyar ki taki us per Pani ki mashq aur kapde latkaye jaye'n, Aap khud bayan karti hai'n :- Fatima Raziyallahu Anha ke Byaah se Achchha maine koi Byaah nahi dekha _,"*

*★"_ Shaadi ke baad Hazrat Fatima Raziyallahu Anha jis ghar me gayi'n, Usme aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Hujre me Sirf ek diwaar ka faasla tha, darmiyan me ek daricha tha, Us dariche se aapas me baat cheet ho jati _,*
*"_ Hadees ki Kitaabo me koi Sahi Waqia esa nahi jisse saabit ho k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke Dil aapas me saaf nahi they, Ahadees se yahi saabit hai k dono me behad Muhabbat aur Mel milaap tha _,"*

*★_ Ek Taaba'i ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se poochha :- Aan Hazrat ﷺ ko sabse zyada mehboob kon tha _," Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- " Fatima ",*
*"_ Fir farmaya :- maine Fatima se zyada uthne bethne ke tareeqo me Aan Hazrat ﷺ se milta julta kisi aur ko nahi dekha, Jab Fatima Raziyallahu Anha Aap ﷺ ki khidmat me aati to Aap khade ho jate, Unki Peshani choom lete aur Apni jagah per bithaate _," ( Muslim )"*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Ek din hum sab Biviya'n Aap ﷺ ke paas bethi thi'n k Fatima Raziyallahu Anha aa gayi'n, Unki chaal bilkul Aan Hazrat ﷺ ki chaal hai thi, zara bhi farq nahi tha, Aap ﷺ ne nihayat izzat se unko paas bithaya, Fir dabi awaaz me unke kaan me kuchh farmaya, Wo sun kar rone lagi'n, Aan Hazrat ﷺ ne unki beqarari dekh kar fir kaan me kuchh farmaya to wo ha'nsne lagi'n _,*
*"_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n, Maine unse kaha:- Fatima ! Aan Hazrat ﷺ sirf tumse raaz ki baate kehte Hai'n aur tum roti ho _,"*.
*"_ Fir Jab Aap ﷺ waha'n se chale gaye to maine unse puchha :- Fatima ! Aap ﷺ kya farma rahe they ? Is per Hazrat Fatima Raziyallahu Anha boli'n :- Mai'n Baap ka Raaz nahi kholungi _,"*
*"_ Fir jab Aap ﷺ ka Inteqal ho gaya to maine dobara kaha :- Fatima ! Mera tum per jo haq hai, Mai'n tumhe uska Waasta deti hu'n, Us din ki baat mujhse keh do _," Unhone Jawab diya :- Haa'n ! Ab ye mumkin hai, mere rone ka sabab ye tha k Aap ﷺ ne apni jald wafaat ki ittela di thi, us per Mai'n rone lagi, fir Aapne farmaya, Fatima kya tumhe ye pasand nahi k tum tamaam duniya ki Aurto'n se ki Sardaar bano _," ( Bukhari )*

*★_ Is Hadees Hazrat Ayesha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki aapas ke muhabbat bhare Talluqaat saabit hote hai'n aur ye Waqia Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki umar ke aakhri hisse ka Waqia hai, Ab jo log ye kehte Hai'n k unme to Aapas me naraazgi thi wo bilkul galat kehte Hai'n, isi tarah virasat vagera ke Mamlaat ne un paak nufoos ko koi ranj vagera nahi pahunchaya tha, Ye muqaddas hastiya'n kya zameen jaydaad ke liye jhagadti, hargiz nahi _,"*
[6/28, 6:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab hum Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Zindgi ki Sabse zyada dardnaak Waqie ki tafseel bayan karte hai'n, Aan Hazrat ﷺ jab kisi Safar per jate to Azwaaj Mutahraat me Qurra Andazi farmate, Qurra Andazi me jinka naam nikal aata Aap Safar me unhe saath le jate, Sha'ban 5 Hijri me Nabi Kareem ﷺ Gazwa Bani Mustlaq ke liye rawana hue, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki ek badi tadaad Aapke saath thi, Munafiqo ko andaza tha k is Gazwe me koi Khoo'nrez Jung nahi hogi Chuna'nche unki Achchhi khaasi tadaad islami lashkar me shamil ho gayi, isse pehle Munafiq log itni badi tadaad me islami lashkar me kabhi shamil nahi hue they_,"*

*★_ is Safar me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke naam Qurra nikla tha, Lihaza Aap saath thi'n, Rawana hote waqt Aapne Apni badi Behan Hazrat Asma Raziyallahu Anha ka haar pehanne ke liye le liya tha, Wo Aapke gale me tha, Haar ki ladiya'n Kamzor thi, baar baar toot jati thi, Us zamane me Parde ka hukm naazil ho chuka tha, Is per Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne muhammil me sawaar hoti thi'n, Doli ki qism ki cheez ko muhammil kehte Hai'n, Aap usme beth jati aur Muhammil ko oun't per rakh diya jata, Utarne ki zarurat pesh aati to khaadim muhammil ko utha kar zameen per rakh dete, is tarah Aap Muhammil se bahar nikal kar Apni zarurat se faarig ho leti'n,*

*★_ Gazwa Bani Mustalaq se waapsi per ek jagah Lashkar ne padaav kiya, Aap ﷺ ne raat ke pichhle pehar Lashkar ko rawangi ka hukm farma diya, Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko is baat ka ilm nahi tha, Qafila ke rawana hone se kuchh der pehle Aap Qaza E Haajat ke liye Qafile se kuchh door Chali gayi'n, Faarig ho kar Lauti to gale per haath rakh kar tatola, Maloom hua haar gale me nahi tha, Aap ghabrahat me us jagah se waapas gayi'n aur haar talash karne lagi'n _,"*

*★_ Baaz Rivayaat me hai k Haar waha'n toot kar gir gaya tha aur uske daane bikhar gaye they, Un Daano ko jama karne me Aapko der ho gayi, Jab Aap haar ki talash me waapas Lauti thi'n to Aapko andaza tha k jald laut aayengi, isliye Kisi ko na bataya k wo haar ki talash me ja rahi hai'n, na muhammil uthane walo ko bataya _,*

*★_ Udhar Lashkar rawangi ke liye taiyaar tha, Lihaza Saarbano ne Muhammil utha kar oun't per rakh diya, us zamane me Aap dubli patli thi'n, Aapka Wazan bahut kam tha, isliye muhammil uthane walo ko pata na chala k Aap usme nahi hai'n, Unka khayal yahi tha k Aap Muhammil me hai'n, is tarah Qafila waha'n se Aapke bager rawana ho gaya, Aapko Haar ke Daane mil gaye to Aap waapas lauti'n aur dekh kar pareshan ho gayi'n k Qafila waha'n se ja chuka tha, Waha'n bilkul sannata tha, Aapne socha jab Rasoole Kareem ﷺ ko maloom hoga k Mai'n Muhammil me nahi hu'n to Aap meri talash me kuchh Saathiyo ko isi taraf bhej denge, Ye soch kar Aapne Chaadar taani aur ek darakht ke niche let gayi'n, Let te hi Aapko neend ne aa liya _,"*
[6/28, 6:29 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Safwan bin Mut'al Sulmi Raziyllahu Anhu ek Sahabi they, unki zimmedari ye thi k wo Lashkar ke Pichhe Raha Karte they Taki Kisi Ka koi Samaan reh Jaye ya gir Jaye to utha liya kare ,Us Roz bhi Lashkar se Pichhe they, Chunache jab ye us Jagah pahunche Jaha'n Qafila tha ...to unhone Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko door SE Dekha aur khayal Kiya k koi Aadmi soya hua hai , Nazdeek Aaye to unhone Aapko Pehchan liya, Aapko dekhte hi Unhone, inna lillahi wa inna ilaihi Rajiuon, padha,*

*★"_ Unki Awaaz sun Kar Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha jaag gayi'n ,Unhe dekhte hi Aapne Apni Chaadar Apne Chehre per daal li ,*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha Farmati Hai'n :- Safwaan Sulmi Raziyllahu Anhu hairatzada they k ye kya hua , Lekin moonh SE Unhone ek lafz na Kaha ,na Mai'ne unse koi Baat ki , Unhone Apni ountni ko mere qareeb bitha diya aur Sirf itna Kaha :- Maa'n ! Sawaar ho jaiye_,"*
*"_Maine ount per sawaar Hote Waqt Kaha :- "_ Hasbiyallu wa ni'amal wakeel _,"*
*( Allah Ta'ala ki zaat hi mujhe kaafi hai aur Wohi Mera Behtar Sahara hai ) fir mere sawaar hone ke baad Unhone ount ko uthaya aur uski muhaar Pakad Kar Aage rawana hue, Yaha'n tak k Lashkar me pahunch gaye, Lashkar us Waqt nakhle zahira ke Muqaam per Padaav daale hue tha aur Wo dopahar Ka Waqt tha ,_,*

★_ Is Aham tareen Waqie me aur bhi bahut si hikmate mojood hai'n, Unme se ek ye hai k Qurane Kareem Aan Hazrat ﷺ ki banayi hui kitaab nahi hai, Varna ek maah tak Apni Zoja Mohatram ko aur unke Maa'n Baap ko rulane ki kya zarurat thi, Aap foran ye farma dete k ye bahut bada bohtaan hai, Balki ye elaan Allah Ta'ala ki taraf se taqriban ek maah baad hua _,"*

*★"_ Aur ye bhi maloom hua k Allah Ta'ala ki taraf se jo wahi naazil hoti thi, Use chhipane ka Akhtyar Aan Hazrat ﷺ ko nahi tha, Jo kuchh Naazil hota tha, Wo Aap doosro ko sunate they, Lihaza ye poora Waqia Musalmano ke liye khayr hi Khayr hai _,"*

*★_ Ye bhi saabit hua k Huzoor Nabi Akram ﷺ ko tamaam Chhipi aur Gaa'ib baato ka har har cheez ka ilm nahi tha, Ye Jaahilo ka Aqeeda hai k Paigambar aur Wali sab kuchh jaante hai'n, Sahi Aqeeda jo Qur'an v Sunnat se saabit hai ye hai k Aalimul Gaib har Shay ka ilm rakhne wala Sirf Allah Ta'ala hai, Huzoor Nabi Akram ﷺ ko Allah Ta'ala ne Saari Makhlooq se zyada ilm ata kiya tha magar Aalimul Gaib nahi banaya tha, Agar Aalimul Gaib hote to itne dino tak wahi ka intezar kyu farmate _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ka mamool tha k Asr ki namaz ke baad thodi thodi der ke liye tamaam Azwaaj Mutahraat ke paas beth te they, is mamool me qadre farq is tarah aaya k Aap Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n kuchh zyada waqt ke liye bethne lage, Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne iski vajah maloom karne ki koshish ki to pata chala, Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n kahi'n se Shehad aa gaya, Aapko Chu'nki Shehad bahut pasand tha, isliye Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Aapko Shehad pesh karti thi'n, So is vajah se qadre zyada waqt lag jata tha _,"*   

[7/4, 9:18 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha aur Sayyada Sauda Raziyallahu Anha se is baat ka zikr kiya aur mashwara kiya k is silsile me koi Tadbeer karni chahiye, Aap ﷺ bahut nafasat pasand they, Zara si boo bhi Aapko nagawaar guzarti thi, aur Shehad ki Makkhiya'n Jis qism ke foolo se ras choosti hai'n Shehad ki mithaas me us qism ke foolo ki lazzat aur boo hoti hai, Arab me ek Fool ka naam mugafeer hai, Ye qadre tez boo wala fool hai, Shehad ki Makkhiya'n aam tor per waha'n us fool per bethti hai'n, Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne dono ko samjha diya k Jab Aap ﷺ tashreef Laye'n to poochhna chahiye k Aapke moo'nh se ye boo kesi aa rahi hai, Jab Aapko bataye'n k Shehad khaya hai to kehna chahiye k isme Mugafeer ki boo hai, esa hi kiya gaya, Jab Aapko maloom hua k moo'nh se Mugafeer ki boo aati hai to Aapne irshad farmaya :- "_ Theek hai ! Ab Mai'n Shehad nahi khaunga _,"*

*★_ Is per Allah Ta'ala ne foran ye Aayat naazil farmayi :- "_ Ey Paigambar ! Allah ne Aapke liye Jo halaal kiya hai, use Apni Biviyo'n ki khushi ke liye Apne Ouper kyu haraam karte ho, Allah Bakhshne wala Meharban hai aur usne Aapki qasam ka kaffara muqarrar kar diya hai, Allah Ta'ala Aapka Maula aur ilm v Hikmat wala hai _," ( Surah Tehreem -10)*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki umr abi Sirf 18 saal ki thi k Aan Hazrat ﷺ ka is Duniya se rukhsat hone ka waqt aa gaya, 11 Hijri me Maah Safar ki Aakhri Tareekho me ek Roz Aan Hazrat ﷺ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ke Hujre me tashreef laye to Aapke Sar me dard tha, Waha'n se Aap Sayyada Maimuna Raziyallahu Anha ke Yaha'n tashreef le gaye aur Tabiyat kharaab hone ki vajah se bistar per let gaye, Tamaam Biviyo'n ko Aapki Tabiyat ki kharabi ki khabar ho gayi, Sab Aapke gird jama ho gayi'n, Unhone mehsoos kiya k Aap Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Yaha'n qayaam karna chahte hai'n, Chuna'nche sabne khushi se ijazat de di, Aap waha'n se Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ke Yaha'n tashreef le aaye aur is duniya me Aakhri waqt tak fir Wahi'n rahe aur Yahi vajah hai k Aapke Inteqal ke waqt ki jis qadar bhi Rivayaat hai'n, Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha hi se Rivayat ki gayi hai'n _,"*
[7/4, 11:57 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sar dard ke saath Aapko bukhaar bhi ho gaya tha aur marz me Roz ba Roz Shiddat aa rahi thi, Aapki Azwaaj Mutahraat timaardaari me lagi thi'n aur Allah Ta'ala se Aapki Sehat ke liye Duae'n kar rahi'n thi'n, Lekin Aap ﷺ ke Visaal ka waqt aa chuka tha, Wafaat ke waqt Aap ﷺ ka Sar Mubarak Sayyada Ayesha ki god me tha, Aap farmati hai'n :- Achanak mujhe Aapke Badan ka bojh mehsoos hua, Aapki Aankhe'n dekhi'n wo khuli thi'n, Maine Aapka Sar Mubarak Takiye per rakh diya aur rone lagi _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Hujre me dafan kiya gaya aur ye Jannat ke Tokdo me se ek tukda hai, Ek martaba Sayyada ne khwab me dekha tha k Teen Chaand toot kar Aapke Hujre me aa gire hai'n, Aapne is khwab ka zikr Apne Waalid Muhatram Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se kiya tha, Jab Sarkare Aalam ﷺ us Hujre me dafan hue to Sayyadna Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne farmaya :- "_ Teen Chaando me se ek ye hai aur Unme Sabse behtar hai _,"*
*"_ Baad ke Waqiaat ne saabit kar diya k doosre do chaand Hazrat Abu Bakar Siddiq aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum they Jinhe Aap ﷺ ke saath dafan hone ki Sa'adat Naseeb hui _,"*

*★_ Huzoor ﷺ ki wafaat ke baad ab Aap Beva thi'n, isi aalam me Aapne Apni Zindgi ke 50 Saal basar kiye, Aap Aap ﷺ ki qabr mubarak ke paas hi soti rahi'n, Lekin fir Aap ﷺ ko khwab me dekha to waha'n sona chhod diya, Taham Hujre me aana jana na chhoda, Fir Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki wafaat ho gayi aur Aapko bhi Roza Mubarak me dafan kiya gaya, is per bhi Aap aati jati rahi'n aur andar chehra dhaa'nk kar nahi rakhti thi'n, Lekin jab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki shahadat hui aur Aapko waha'n dafan kiya gaya to fir Aap Parda kar ke waha'n aane lagi'n, is bare me Aap farmati hai'n :- "_ Ab Yaha'n be Parda aate Haya aati hai _,"*

*★_ Huzoor ﷺ ki wafaat ke baad Aapke Waalid Buzurgwaar ko khalifa chuna gaya, Azwaaj Mutahraat Raziyallahu Anhuma ne ek Roz chaha k Virasat haasil karne ke liye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke paas Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko apna numainda bana kar bheje'n, Lekin Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne unhe yaad dilaya :- "_ Aan Hazrat ﷺ ne Apni zindgi mubarak me farmaya tha, Hum Ambiya ka koi Vaaris nahi hota, Hum jo chhodte hai'n, Wo Sadqa hoga _,"*
*"_ Ye Sun kar sab Khamosh Ho gayi'n _,*
[7/5, 8:33 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyadna Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu 2 saal tak khalifa rahe, 13 Hijri me Aapka Inteqal ho gaya, Naza ke waqt Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir thi'n, Aapne unse puchha:- Allah ke Rasool ﷺ ke kafan me kitne kapde they ? Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne bataya :- Teen Safed Kapde _,"*
*"_ Unhone Puchha :- Aapne Kis Roz wafaat payi thi ? Sayyada ne jawab diya :- Peer ke Roz _,"*
*"_ Aapne puchha :- Aaj konsa Din hai ? Unhone bataya :- Aaj peer hai_," is per Abu Bakar Siddiq ne farmaya :- Aaj Raat tak mera bhi chal chalao hai _," fir farmaya :- "Mujhe inhi kapdo me dafan kiya jaye _," Unse kaha gaya :- Ye purane kapde hai'n _, Aapne farmaya :- "Naye Kapdo ki zarurat Murdo'n ki nisbat Zibdo'n ko zyada hai _," ( Bukhari )*

*★_ Aap usi Roz inteqal kar gaye, Aapko bhi Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Hujre me Aap ﷺ ke pehlu me dafan kiya gaya, Ye doosra Chaand tha jo Aapke Hujre me utar aaya tha_,"*

*★_ Sayyadna Farooq Raziyallahu Anhu ke zamane me Tamaam Azwaaj Mutahraat ko 12 hazaar dirham salana diya jata tha, Kisi ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se puchha :- Aapne unke liye ye raqam kyu muqarrar ki ? Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne jawab diya :- Ye sab Huzoor ﷺ ki mehboob aur Manzoore Nazar thi'n_,"*
*"_ Iraaq Fateh hua to maale ganimat me Motiyo'n ki ek Dibiya bhi thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne logo se kaha :- Agar Aap log ijazat de'n to Mai'n ye Moti Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko de du'n, Kyunki Sayyada Ayesha Huzoor Akram ﷺ ki bahut Mehboob thi'n _,"*
*"_ Sabne khushi se ijazat de di, Chuna'nche Dibiya Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko bhej di gayi _,"*

*★_ Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ki khwahish thi k Aan Hazrat ﷺ ke saath dafan Ho'n, Lekin Aapne is khwahish ka kabhi izhaar nahi kiya tha, Jab Aapka aakhri waqt aa pahu'ncha tab ye khwahish zaahir ki aur Apne Bete Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ko Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me bheja aur unse farmaya :- "_ Ummul Momineen ko meri taraf se Salam kehna aur arz karna, Umar ki khwahish hai k Wo Apne Rafeeqo ke pehlu me dafan ho_,"*
*"_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki khwahish sun kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Wo jagah maine Apne liye rakhi thi lekin Umar ki khwahish ke liye unke liye ye ijazat deti hu'n _,"*
*"_ Chuna'nche Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Hujre me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke pehlu me dafan kiya gaya, is tarah us Hujre me Teesra Chaand utar aaya _,*
[7/6, 6:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap tamaam Musalmano ki Maa'n thi'n, Musalamano ko unse Bahut Muhabbat thi, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke daur me Aapne ek Maa'n hone ke naate bahut aham kirdaar ada kiya, Sayyadna Usman Raziyallahu Anhu ke daur me Abdullah ibne Saba ne islami saltnat ke khilaaf ek bahut badi Saazish shuru ki, Ye Shakhs Yahoodi tha, bas Zaahir me musalman tha, Usne Saazish ka ek jaal chaaro taraf bichha diya, Aaj Tak musalaman us Saazish ke nuqsanaat bhugat rahe Hai'n_,"*

*★_ Uski Saazish ka Asal nukta ye tha k Logo'n me kehta firta tha :- Logo'n ! Aan Hazrat ﷺ ke baad unke asal Jaa'nasheen dar Asal Hazrat Ali Raziyallahu Anhu hai'n aur Aan Hazrat ﷺ ne unke bare me Vasiyat kar di thi k mere baad unhe khalifa banaya jaye _,"*

*★_ Ye baat le kar usne saare islami riyasat ka daura kiya, Har taraf ye baat khoob failayi, Us zamane me Koofa, Basra aur Misr me islami fauj ki badi badi chhavniya'n thi'n, Waha'n usne zyada koshish ki aur usne bahut se Logo'n ko apna hum khayal bana liya, Hajj ka Zamana aaya to ye sab log Hijaaz pahunch gaye aur waha'n bhi in baato ko failane lage _,"*

*★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur doosre bade bade Sahaba ne unhe Samjhaya aur waapas jaane per Aamada kar liya, Ye log chale to gaye lekin kuchh door ja kar fir lot aaye, Sahaba Kiraam ko unke dobara aane ki ittela mili to foran unke paas pahunche, inme Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bhi they, Aapne unse puchha :- Kya baat hai, tum fir aa gaye ?*
*"_ Is per unme se ek ne kaha :- hamare paas ek khat hai, ye khat misr ke governor ke naam likha gaya hai, is khat me Unhone likha hai k Jab ye log Misr pahunche to unke Sargano ko foran qatl kar do, Baaqiyo ko qaid me daal do aur ye khat Marwaan bin Hakam ke haath ka likha hua hai _,"*

*★_ Unka matlab ye tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Marwaan bin Hakam ke haath se likhwaya hai, Marwaan Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke qareebi Rishtedar they, Us khat per Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki muhar bhi lagi hui thi_,*

*★_ Aur iske baad un Logo'n ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ko ghere me le liya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur doosre Sahaba majbooran Apne gharo ko lot gaye,*
*"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne elaan farmaya k ye khat Unhone nahi likhwaya, Iska saaf matlab ye tha k Khat Jaali tha aur Baagiyo ne khud likha tha, Saazishi log is qism ke kaam na kare to un per Yaqeen kon kare, Bahar haal ye unki chaal thi, Wo har haal me Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed karna chahte they Taki ummate Muslima me Khaana Jungiyo ka agaaz ho jaye aur Aakhirkaar unhone Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko 40 Roz ke muhaasre ke baad Shaheed kar diya,*
[7/7, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Us waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hajj ke iraade se Makka Muazzama gayi'n hui'n thi'n, Madina Munavvara me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Khalifa muqarrar kar diya gaya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka qatl koi mamooli Waqia nahi tha, Har taraf bechaini fail gayi thi, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hajj se faarig ho kar Makka se nikal chuki thi'n k Madina Munavvara ki taraf se Hazrat Talha aur Hazrat Zubair Raziyallahu Anhum aa gaye, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu Qureshi hai'n, Sabse pehle islam lane wali me shamil hai'n, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Damaad hai'n aur is lihaaz se Aan Hazrat ﷺ ke hum zulf hai'n aur fir Ashra Mubasshara me shamil hai'n, Isi tarah Hazrat Zubair bin Awaam Raziyallahu Anhu bhi Ashra Mubasshara me shamil hai'n, Sabse pehle imaan lane wali me shamil hai'n, Aap bhi Nabi Kareem ﷺ ke hum zulf they, Yani Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Damaad they, Sahabi e Rasool they,*

*★_ Unhone Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko bataya :- Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Fitna Parwazo ne Shaheed kar diya hai aur Shadeed Abtri paida ho gayi hai, Logo'n ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haath per Bayt kar li hai_,"*
*"_ is per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Hume Sochna hoga k ab kya kiya jaye _,"*
*"_ Ab ye Hazraat waapas Makka Muazzama aa gaye, Logo'n ko Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ki ittela mili to inke ird gird jama hone lage_,*

*★_ Is moqe per Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Qurane Kareem ki aayat tilawat ki, uska Tarjuma ye hai :-*
*"_ Agar Musalamano ki do jama'ate aapas me lad pade to dono ke darmiyan suleh kara do, Pas agar ek Jama'at doosri pet zulm kare to Zulm karne wali Jama'at se lado Yaha'n tak k wo Allah ke hukm ki taraf ruju kar le to dono me suleh kara do _," ( Surah Al Hujraat -1)*

*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne un Logo'n ko Allah ka ye hukm sunaya, Aap bahut bahadur thi'n, Aan Hazrat ﷺ ke zamane me baaz gazwaat me Shareek reh chuki thi'n, Aap Gazwa Badar me bhi gayi thi'n, Gazwa Uhad me jab musalaman dushmano me ghir gaye they aur bahaduro ke Paa'nv ukhad rahe they to Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha mashk kaandhe per daal kar zakhmiyo ko daud daud kar pani pila rahi thi'n, Gazwa Khandaq me jab musalaman ghere me they to Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Zanana qile se nikal kar Jung ki haalat dekha karti thi'n _,"* *( Musnad Imaam Ahmad )*

*★_ Matlab ye k bahut diler thi'n, Musalamano ki islah karne ki khwahish mand thi'n, is moqe per isiliye Aapne ye Aayat tilawat ki, Aapne un Sabse ye bhi farmaya :- Allah ki qasam ! Usman mazloom maare gaye, Mai'n Unke khoon ka badla lungi, Afsos idhar udhar se aaye hue balwaiyo ne madina ke gulamo ke saath mil kar Balwa kiya, Unhone nahaq Usman ki mukhalfat ki, Jis khoon ko Allah Ta'ala ne haraam kiya tha, Unhone usko bahaya, Jis ghar ko Allah Ta'ala ne Apne Rasool ka Darul Hijrat banaya tha, Unhone waha'n Khoo'nrezi ki aur Jis Mahine me Khoo'nrezi mana thi, Us mahine me Khoo'nrezi ki, Jiska maal lena Jaa'iz nahi tha, use loota, Allah ki qasam Usman Raziyallahu Anhu ki ek ungli Balwaiyo jese tamaam Logo'n se Afzal hai, Jis vajah se ye log Usman Raziyallahu Anhu ke dushman hue they, Usman Raziyallahu Anhu usse paak saaf hai'n _,*
[7/10, 7:26 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Arab ke Ra'ieso ne Ka'i laakh dirham aur Sawariyo ke oun't muhayya kiye, Fir Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki qayamgaah per jalsa hua, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki raay ye thi :- is waqt Chu'nki Saba'i log aur Baagi Madina Munavvara hi me Hai'n, isliye udhar ka rukh kiya jaye _,"*
*"_ is per kuchh logo ne mashware diye aur Aakhir tay ye paya k pehle Basra chala jaye,.. Aakhir Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha us Qafile ke saath Basra rawana hui'n,, Ummahatul Momineen aur Aam Musalamano ne door tak aa kae is Qafile ko rukhsat kiya, Us waqt wo log ro rahe they aur keh rahe they :- Aah ! Musalmano per kitna nazuk waqt aaya hai _,"*

*★_ is moqe per Kuchh Fitna Parwar log bhi is Jama'at me shamil ho gaye, islam ko andar hi andar kamzor karne wale log shuru se chale aaye they, Lekin pehle unhe Khul kar kaam karne ka moqa nahi mil saka tha, Unki Pehli Koshish Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko Shaheed karne ki soorat me kamyaab hui thi,.. aur doosri koshish thi Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed karne ki,.. Jab unhone dekha k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha foj le kar Makka se nikal chuki hai'n to unke liye Foj me shamil hona asaan kaam tha _,"*

*★_ Aap Makka se rawana hui'n to Ek Basti ke Kutte Lashkar per bho'nkne lage, is muqam ek rivayat bayan ki jati hai ... Pehle wo rivayat naqal ki jati hai :-*
*"_ Ek martaba Aan Hazrat ﷺ ne Apni Azwaaj ko mukhatib karte hue farmaya tha k Tumme se na jane kon hogi Jis per Hawaab ke kutte bho'nkenge _,"*
*"_ Hawaab kisi Basti ka naam tha, in Alfaz ka matlab ye tha k us waqt wo Bivi galti per Ho'ngi, Ye Rivayat Tibri Jild 3 ke Safa 475 per hai, iske bare me 3 tarah ki baate likhi gayi hai'n, Ek ye k wo Basti Hawaab ki hi thi magar logo ne Aapko maloom nahi hone diya, Doosri Rivayat ye hai k Wo Basti Hawaab ki nahi thi, Teesri ye k ye rivayat hai hi Ghadi hui _,"*
*"_ Teeno Soorto me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Be Qasoor thehri hai'n, is tarah nikalna dar Asal Aapka ijtihaad tha aur esa Aapne Surah Al Hujraat ki Aayat ke tahat kiya tha,*

*★_ Baaz Rivayaat me hai k Kutto ka bho'nkna sun kar Jab Aapne puchha k ye konsi Basti hai aur Aapko bataya gaya k ye Hawaab ki Basti hai, To Aapne farmaya :- Tab to Mai'n Yaha'n se Waapas jati hu'n _,"*
*"_ Ye Sun kar Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Aap waapas jana chahti hai'n... kya khabar ... Allah Ta'ala Aapke zariye logo me Sulah kara de _,"*
*"_ Kuchh aur logo ne bhi kaha :- balki Aap aage badhe'n, Musalaman Aapko dekhenge to Sulah kar lenge _,"*
*"_ Baaz Rivayaat me hai k us waqt Ka'i logo ne Yaqeen ke saath kaha k ye Basti koi aur hai, Hawaab nahi hai, in Rivayaat se ye baat saabit ho jati hai k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka is tarah nikalne ka maqsad sirf Musalamano ke darmiyan Sulah karana tha, Aap Jung ke iraade se nahi nikli thi'n _,"*
[7/11, 7:18 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Udhar Hazrar Ali Raziyallahu Anhu ko jab maloom hua k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Saath ek Jama'at ko le kar nikli hai'n To Aap Madina Munavvara se nikal khade hue, Us waqt Koofa me Ameer Hazrat Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu they, Unhone logo ko pur Sukoon rehne ki hidayat ki _,"*

*★_ Udhar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu aur Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko Koofa rawana farmaya, Un dono ne Koofa ki jaama masjid me taqreer ki aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Fazilat bayan ki... Uske baad unhone kaha :- Ye sab theek hai, Lekin is waqt Allah Ta'ala Musalamano ka imtehan le raha hai _,"*

*★_ Musalaman pareshan they, Ek taraf Aan Hazrat ﷺ ki Bivi thi'n, Doosri taraf Aap ﷺ ke Damaad they, Logo ki uljhan ye thi k in halaat me wo kiska saath de'n, Ese me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Basra ke qareeb pahunch gayi'n, Basra ke Haakim Usman bin Haneef they, Unhone Soorate haal maloom karne ke liye do Aadmiyo ko bheja, Ye dono Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me haazir hue, Unhone kaha :- Hume Basra Ke Waali Usman bin Haneef ne Aapki khidmat me bheja hai, Wo jaanna chahte hai'n k Aap kisliye Tashreef layi'n hai'n _,"*

*★_ Unki baat ke jawab me Aapne farmaya :- Allah ki qasam ! mujh jese log kisi baat ko chhupa kar ghar se nahi nikalte aur na koi Maa'n Asal baat Beto'n se chhupa sakti hai, Waqia ye hai k Qaba'il ke Awaara logo ne Madina Munavvara per hamla kiya, ... Madina Harame Muhatram hai, un logo ne waha'n fitna barpa kiya aur Fitna Parwazo ko panaah di, is buniyad per wo Allah ki laanat ke mustahiq thehre, In baato ke alawa un logo ne Khalifa Som Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed kiya, Masoom khoon ko halaal jaan kar bahaya, Jis maal ka unhe lena Jaa'iz nahi tha Use loota, Haram Muhatram ki be izzati ki, Muqaddas Mahine ki toheen ki ( yani Zihhijja me Hazrat Usman ko Shaheed kiya ) logo ki aabru rezi ki,... Musalamano ko begunaah maara peeta, Unke gharo me zabardasti dakhil hue, Mai'n Musalamano ko le kar isliye nikli hu'n k logo ko batau'n ...in halaat me Musalamano ko kya kya nuqsaan pahu'nch rahe Hai'n, Hum islaah ki dawat le kar nikle hai'n aur iska Allah ke Rasool ne har chhote bade ko hukm diya hai, Ye hai hamara maqsad _,"*
[7/11, 6:05 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Un dono Hazraat ne Hazrat Talha aur Hazrat Zabair Raziyallahu Anhu se bhi mulaqaat ki, Fir Waapas Basra ke waali Usman bin Haneef ke paas aaye aur unhe bataya k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha kya chahti hai'n, Usman bin Haneef ne in baato ka koi asar nahi liya aur Apni fauj le kar maidaan me aa gaye _,*
*★_ Is moqe per Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne ek badi pur asar taqreer ki, Aapki taqreer sun kar Usman bin Haneef ki fauj se bahut se Aadmi nikal kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki taraf aa gaye aur pukaar uthe :- Allah ki qasam ! Aap theek kehti Hai'n_,"*

*★_ Doosre Roz dono jama'ate Aamne Saamne aa gayi'n, Basra Walo ka Salaar Hakeem naami shakhs tha, Usne Jung shuru karne ki koshish ki , Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke saathi Neze taane khamosh khade they, Aap Hakeem aur uski Fauj ko barabar rok rahi thi'n k Jung shuru na karo, Hamara maqsad Jung nahi hai, Hum islaah ke liye aaye hai'n, Pehle hamari baat sun lo, Aapki in baato ke bavjood Hakeem baaz na aaya, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saathi ab bhi haath roke khade they, Udhar Hakeem ne apne Saathiyo ko lalkara, Ye halaat dekh kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Apne Saathiyo ko pichhe hatne ka hukm farmaya aur doosre maidaan me la khada kiya, Isse saaf zaahir hai k Aapka iraada hargiz hargiz Jung ka nahi tha, Aap to Musalamano me Sulah karane ki niyat se nikli thi'n_,*

*★_ Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Madni Munavvara se Apne Saath so Aadmi le kar chale they, Aap Koofa pahu'nche to 7 hazaar Aadmi unke saath ho liye, Basra Pahunchte Pahunchte unki tadaad 20 hazaar ho gayi, Idhar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke saath 30 Hazaar Aadmi they, Dono jama'ate maidaan me Aamne Saamne Khaimazan ho gayi'n, Har Musalman ka Dil dar raha tha k Kal Tak inki talware dushmano ke sar udaati rahi thi'n kahi'n ab khud Apno ke seeno ko na chhalni karne lage _,"*

*★_ Ab dono taraf se Sulah ki koshishe shuru hui, Sabaa'i giroh ke log dono taraf ki faujo me shamil ho chuke they aur unki koshish ye thi k kisi tarah bhi Sulah na ho taki Musalaman aapas me lad kar kamzor ho Jaye'n aur unki Sazisho ko falne foolne ka khoob moqa mile, Jabki Nek Logo'n ki poori poori koshish ye thi k kisi tarah dono Giroh me Sulah ho jaye,*

*★_ Aakhir Sulah ki baat cheet shuru hui, Dono jama'ate hi yahi chahti thi k Jung na hi, Mamlaat baat cheet ke zariye tay ho Jaye'n, Sulah ki baat abhi jaari thi, is baat ki zyada ummed ho chali thi k Sulah ho jayegi, Baat cheet hote hote Hai'n Raat ho gayi, Chuna'nche dono Fareeq apne apne padaav me chale gaye_,*

*★_ Ab kya hua, Sabaaiyo ne halaat ka rukh dekh liya, Andaza laga liya k unme Sulah ke imkanaat roshan ho chuke hai'n, Ye baat unki ummeedo ke khilaf thi, Wo to Musalamano me Jung ki aag bhadkane pet tule bethe they, Unhone hi Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed kiya tha, Agar Musalamano me Sulah ho jati hai to fir Shaamat unhi ki aati thi, Lihaza Unhone faisla kiya k esa waqt aane se pehle Musalamano hi ko kyu na aapas me lada diya jaye, Ye Fasaadi log pehle hi Apne program ke mutabiq dono lashkaro me shareeq ho chuke they aur moqe ki Taaq me they, Ab jo Baat cheet roki gayi aur dono lashkar apne Apne padaav me chale gaye to unke Seeno per Saa'np lotne lage, Bas ese Sabaa'i Logo'n ke ek giroh ne Achanak Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki fauj per hamla kar diya, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur unke Saathi ye samjhe k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj ne hamla kar diya hai, isi tarah kuchh Sabaaiyo ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj per hamla kar diya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke saathi ye samjhe k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki fauj ne hamla kar diya hai, Bas is tarah dono Fareeqo me Jung shuru ho gayi _,"*
[7/12, 3:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Apne oun't per Sawaar hui taki Fauj ko rok sake aur khoon kharaba na Ho, Udhar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi Apni fauj ko rokne ki koshish ki lekin Jung to chhid chuki thi, Ruk na saki, Khud Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saathiyo ne Aapko oun't per Sawaar dekh kar khayal kiya k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Jung ke liye taiyaar hai'n, Hala'nki Aap to un sabko rokne ke liye oun't per Sawaar hui thi, Aapki fauj me Muhammad bin Talha Sawaaro per afsar they, Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu paidal fauj ke afsar they, Majmui tor per poori fauj ki qayadat Hazrat Talha aur Hazrat Zubair Raziyallahu Anhum kar rahe they,*.

*★_ Jung ke dauran Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apna ghoda aage badaya aur Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ko bula kar kaha :- Ey Zubair ! Tumhe wo din yaad hai jab Aap ﷺ ne tumse puchha tha, Kya tum Ali ko dost rakhte ho, To tumne arz kiya tha, Ey Allah ke Rasool ! Haa'n Mai'n Ali ko dost rakhta hu'n, Yaad karo us waqt tumse Huzoor ﷺ ne farmaya tha, Ek Din tum isse na haq ladoge _," ( Mustadrak Haakim )*

*★_ Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ne foran kaha :- Haa'n ! Mujhe yaad aa gaya _," Ye keh kar Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu Ladayi se alag ho gaye, Unhone Apne Bete Abdullah se farmaya :- Ey Pyare Bete ! Ali ne mujhe esi baat yaad dila di k Jung ka tamaam Josh khatm ho gaya hai, Beshak hum haq per nahi hai'n, Lihaza tum bhi Jung se Baaz aa jao aur mere saath chalo _,"*
*"_ Is per Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne kaha :- Mai'n to maidane Jung se nahi hatunga _,"*.
*"_ is per wo Akele hi maidane Jung se nikal aaye aur Basra ki taraf chal pade, Ek Sabaa'i unke ta'aqub me lag gaya aur jab wo ek jagah ruk kar namaz ada karne lage to unhe Shaheed kar diya_,"*

 *★_ Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ke jane ke baad Hazrat Talha Raziyallahu Anhu ka iraada bhi badal gaya, Wo bhi maidane Jung se nikal aaye, Is haalat me ek teer unke Paa'nv me aa kar laga, Zakhmi haalat me ye waha'n se nikal aaye, is zakhm se Aapne Shahadat payi _,"*
[7/14, 7:02 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Maidane Jung me Abdullah bin Saba ke Saathiyo ne kai baar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha per hamla karne ki koshish ki, Lekin Aapke ird gird jo jaa'nisaar saathi they, Wo unhe moo'nh tod jawab dete rahe, Sabaa'i log dar Asal Aapko giraftaar karna chahte they, Lekin kamyaab na ho sake, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke saathi Shaheed to ho rahe they lekin unhone Aapki Hifazat se ek qadam bhi pichhe na hataya, Unki bahaduri ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko bhi hairat me daal diya, Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bahut pareshan bhi they, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saathiyo ki bahaduri ki vajah se Jung tool pakadti ja rahi thi aur is tarah dono taraf se Musalamano ka nuqsaan ho raha tha, Goya Sabaa'i giroho ki Saazish Kamyaab ho rahi thi,*

*★_ Ese me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne socha k agar Haalat yahi rahi to na jane nuqsaan Kaha'n tak pahunch jaye, Kyunki is waqt haalat ye thi k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka ek saathi girta to doosra unke jagah le leta, Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne oun't ki nakel pakad rakhi thi, Wo zakhmi hue to foran ek aur ne pakad li, is tarah ek ke baad digar 70 Aadmiyo'n ne Apne Aapko Qurban kar diya, Ye haalat dekh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne socha, Jab tak Oun't ko nahi bitha diya jata us waqt tak Khoo'nrezi nahi ruk sakegi, isliye Aapke ishare per ek Shakhs ne pichhe se ja kar oun't per waar kiya, Oun't zakhmi ho kar beth gaya, Jo'nhi Oun't betha, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki fauj himmat haar gayi, Jung ka faisla Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haq me hi gaya,*

*★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko izzat aur Ahatraam ke saath madina Munavvara rawana kiya, Aapke dono Sahabzaade unhe rukhsat karne ek manzil tak saath aaye, Rukhsati ke waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- Mere Bachcho ! Hamari ye aapas ki kashmkash sirf aapas ki galat fehmi ka natija thi, varna mujhme aur Ali me pehle koi jhagda nahi tha_,"*
*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi is baat ki Taa'ied ki aur farmaya :- Ye'n Aan Hazrat ﷺ ki Harame Muhatram aur Hamari Maa'n hai'n, Unki Tazeen aur Toqeer zaruri hai _,"*

*★_ Is tarah Rajjab ki pehli Tareekh 36 Hijri ko Sayyada Madina Munavvara ki taraf rawana hui'n, Chu'nki Aap is Jung me oun't per Sawaar thi'n, isliye mo'rkho ne is Jung ko Junge Jamal ( oun't) ka naam diya hai _,"*

*★_ Madina pahunch kar Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Hujre me aa gayi'n, iske baad Logo'n ko Deen ki baate sikhati rahi'n, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khilafat taqriban 6 saal rahi, Uske baad Hasan Raziyallahu Anha 6 maah tak khalifa rahe, Fir unhone Khilafat Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu ke supurd kae di, Wo Taqriban 20 saal tak islami mumlikat ke Tanha Khalifa rahe, Unki khilafat ki muddat ke akhtaam se 2 saal pehle Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne inteqal farmaya, Us waqt Aapki Umr 70 Saal se kuchh zyada thi, Aapne 17 Ramzanul Mubarak 85 Hijri me Chand Roz bimaar reh kar is daare faani se inteqal farmaya,*

[7/14, 9:11 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ki wafaat ki khabar sun kar Musalaman Apne gharo se nikal aaye, Aapke Janaze me is qadar hujoom tha k Raat ke waqt isse pehle kabhi itna Hujoon nahi dekha gaya, Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne janaza dekh kar farmaya :- Ayesha Siddiqa ke liye Jannat waajib hai, Kyu'nki Ye Huzoor Alaihissallam ki sabse Pyari Bivi thi'n, Allah un per Rehmate naazil farmaye _,"*

*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu un dino Madina Tayyaba ke qaaim muqaam governor they, Kyunki Marwaan un dino Umre ke liye Makka Mukarrama gaya hua tha, isliye Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Namaze Janaza padhayi, Qasim bin Muhammad bin Abi Bakar, Abdullah bin Abdurrahman bin Abi Bakar, Abdullah bin Ateeq aur Abdullah bin Zuber yani Bhatijo aur Bhanjo ne Qabr me utara, Aapko Aapki Wasiyat ke mutabiq Jannatul Baqi me dafan kiya gaya,*

*★_ Madina Munavvara me us Roz Qayamat barpa thi, Har Aan'kh ro rahi thi, Logo'n ne Madina Munavvara ke kisi Shakhs se puchha :- Madina ke Logo'n ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki wafaat ka gam kitna mehsoos kiya ? Usne jawab diya :- Wo Musalmano ki Maa'n thi'n, Maa'n ke marne per Jitna gam hota hai, Utna hi Madina ke Musalmano ko gam hua tha _,"*

*★_ Aapke Yaha'n koi aulaad nahi hui, Lekin Aapko is baat ka qat'an koi malaal nahi tha, Aap is qadar qana'at pasand thi'n k Sirf ek joda Apne paas rakhti thi'n, Usko dho kar pehanti thi'n, Aapke Dil me Allah ka khoof koot koot kar bhara tha, Bahut Jald rone lag jati thi'n, Ek baar Dajjal ka khayal kar ke rone lagi'n _,*
[7/15, 9:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke bare me Aap ﷺ se kuchh kaha, Aapne irshad farmaya :- "_ Ey Umme Salma ! Mujhe Ayesha ke bare me Aziyat na do, Allah ki qasam ! tumme se kisi ke bistar me mujh per wahi naazil nahi hoti Sivaye Ayesha ke _," *( Musnad Ahmad - 6/ 293 )*

*★_ Ek Roz Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Aapke Hujre Mubarak ke darwaze per Pahunche aur abhi andar dakhil hone ki ijazat talab karne wale they k Aapne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko ounchi Awaaz me baat karte suni, Pas jab Aap andar aaye to Hazrat Ayesha Siddiqa ko pakad kar bole :- Ey Umme Roman ki beti ! Tu Sarkare do Aalam ﷺ ke saamne ounchi Awaaz se baat karti hai _," Ye keh kar Aapne unhe maarne ke liye haath uthaya hi tha k Aan Hazrat ﷺ unke aur Aapke darmiyan me aa gaye, Jab Sayyad Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu waapas chale gaye, To Aapne farmaya :- Dekho maine tumhare aur tumhare baap ke darmiyan me aa kar tumhe kese bachaya _," ( Nasa'i, Abu Daoud, Musnad Ahmad )*

*★_ Ek Safar me Aap ﷺ ne Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha se farmaya :- Aao Ayesha ! Daud lagaye'n _,"*
*"_ Sayyada Aapke saath daud padi aur Aapse aage nikal gayi, Kuchh muddat baad ek aur moqe per Aapne unhe daudne ki dawat di, Sayyada Aapke saath daud padi, Lekin is martaba Aap aage nikal gaye, is per Aap ﷺ ne farmaya :- Ayesha ye us Roz ki daud ka jawab hai _," ( Abu Daoud Hadees Number - 2578)*

*★_ Ek Safar me Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ka oun't bidak gaya aur wo unhe le kar ek taraf ko bhaag nikla, Aap ﷺ is qadar barqarar hue k Aapke moo'nh se nikal gaya :- Arusah _," yani Haay meri Dulhan _,"*

*★_ Ek martaba kuchh Habshi log khail tamasha dikha rahe they, Bahut se Mard aur Bachche unka khail dekh rahe they, Aapne Sayyada se farmaya :- Ey Ayesha ! Kya tum bhi ye khail dekhna chahti ho ? Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ji haa'n ! Chuna'nche Aapne unhe Apne kandhe ki oat se wo khail dikhaya, Us waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Apna chehra Aapke Kandhe per tika diya tha, Kuchh der baad Aap ﷺ ne puchha :- Ayesha ! Tumne dekh liya _," is per Sayyada boli'n :- Ey Allah ke Rasool ! Jaldi na kare'n, Mai'n abhi aur dekhna chahti hu'n _,"*
*"_ Jab tak k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Sair nahi ho gayi'n, us waqt tak Aap unhe khail dikhate rahe _,"*

*★_ Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki ek Khususiyat ye hai k Aapne Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ko dekha aur unhone Sayyada ko Salam kiya _,"*
*"_ Aur sabse badi Khususiyat ye hai k Allah Ta'ala ne Aapki begunahi ke saboot me Qurane Kareem ki aayat naazil farmayi, Allah Ta'ala ki un per Karodo rehmate naazil ho'n _,"*

*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 6,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments