✯—————————————✯
*✦ ANMOL-JAWAHIRAAT ✦*
┗─────────────🕯
*✷PART-01✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Muntakhab Aqwaal ✺*
*★_ Hazrat Abdullah bin Mubarak Reh.ne bayan Farmaya k Kisi Hakeem ne Ek Laakh Hakimana Aqwaal Jama Kiye ,Fir unme SE Chaar Hazaar Maqoole muntakhab Kiye, Fir unme SE Chaar So Aqwaal nikaale ,Fir unme SE Chalees Maqoole Akhtyar Kiye, Fir unme SE Chaar Qaul chune ,Jo k darje Zail Hai’n (Yani Ek Laakh Aqwaal Zari Ka Jauhar) :-*
*1_ Kisi Haalat me Aurat per bharosa na karo,*
*2_ Kisi Waqt Maal v Daulat per na Phoolo,*
*3_ Jo ilm Kuchh nafa na de use Akhtyar na karo,*
*4_ Apne Mede Ko mamnu Giza SE na bharo ( Yani Haraam na Khao ),*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-02✷*
✯—————————————✯
*✺_Rehmate ilaahi SE Mehroom Karne Wali 7 Buri Aadate _✺*
*★_Faqih Abul Lays Reh. Ka Qaul hai k Jis Shakhs me 7 Buri Khaslate hongi us Per Kabhi Allah Ta’ala ki Rehmat Naazil na hogi :-*
*1_ Maal Jama Karne Ki Laalach,*
*2_ Kasrat se Ha’nsna ,*
*3_ Logo per bager Kisi sabab ke Tohmat lagana,*
*4_ Gair Mehram Aurto’n ko dekhna,*
*5_ Logo Ki Geebat Karna,*
*6_ Namaz Ba-Jama’at ki Takbire Avla Faut ho Jana,*
*7_ Nafsaani Khwahisho aur Shehwato me mubtila rehna _,*
*®_ Tambeehul Gafileen_,,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-03✷*
✯—————————————✯
*✺ 4Sifaat wali Aurte’n Jannati Hai’n ✺*
*★_ Ek Buzurg farmate hai’n K Chaar qism Ki Aurte’n Jannati Hai’n :-*
*1_ Paak Daaman Aurat Jo Allah Ta’ala ki aur Apne Shohar ki ita’at Karne wali ho,*
*2_ Apne Shohar Ke Saath Muhabbat Ke Nashe me madhosh ,Sabr v Qana’at ki Chaadar odhe hue Asaani se Zindgi basar kare,*
*3_Sharm v Haya se Muzayyan Jo Apne Shohar ki gair mojoodgi me Apni Zaat aur Shohar ke Maal Ki Hifazat Karti ho aur uski mojoodgi me Zabaan daraazi se Baaz rehti ho,*
*4_ Esi Aurat Jiska Shohar inteqal Kar gaya aur Uske Chhote Chhote Bachche Ho’n aur Wo Apni Zaat ko Bachcho ke liye waqf Kar de aur Unki Behtar tareeqe se tarbiyat kare aur Bachcho ke zaaya hone ke Khof se Doosri Shadi na kare ,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-04✷*
✯—————————————✯
*✺4 Buraiyo’n wali Aurte’n Jahannami Hai✺*
*★_ Ek Buzurg farmate hai’n k Chaar qism ki Aurte’n Jahannami Hai’n :-*
*1_ Fahash Kalaam (Bekaar ki baate) Karne wali Aurat Jo Shohar ki mojoodgi me Apni Zubaan ki vajah se use Takleef deti ho aur uski Gair Mojoodgi me Apni Zaat ki Hifazat na Karti ho,*
*2_ Esi Aurat Jo Apne Shohar ki Taaqat se badh Kar mutalbaat (Demand) Karti ho,*
*3_ Esi Aurat Jo Mardo’n se Parda na Karti ho aur Ghar SE badi ban than Kar bahar nikalti ho,*
*4_ Esi Aurat jisko Khane Pine aur Done ke alawa koi Kaam na ho, na Namaz me uski dilchaspi ho na Allah Ta’ala aur Uske Mehboob ﷺ ki ita’at ki taraf milaan ( Dilchaspi ) rakhti ho aur na hi Apne Khawind ki ita’at Karti ho,*
*★_ Jab Aurat in buri cheezo me lagi ho aur Shohar ki ijazat ke bager Ghar se bahar Jati ho to Jab tak Khuloose Dil se Allah Ta’ala se Tauba v istagfaar nahi Karti Wo Allah Ta’ala ki laanat me Hoti Hai Aur Jahannami shumaar Hoti Hai,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-05✷*
✯—————————————✯
*✺ Chaar cheezo Ke bager Chaar Cheezo Ka Daava Galat Hai _✺*,
*★_ Hazrat Haatim Reh . Ka Qaul hai k Jo Shakhs Chaar Cheezo Ke bager Chaar Baato Ka Daava kare Wo jhoota hai aur Uska Daava Galat Hai :-*
*1_ Jo Shakhs Allah ki Muhabbat Ka Daava karta ho aur Jin Baato ko Allah ne Haraam Kar diya hai unse Baaz na rahe Wo jhoota hai,*
*2_ Jo Shakhs Jannat ke talab Karne Ka Daava kare aur Sadqa v Khairaat se baaz rahe Uska Daava Galat Hai,*
*3_ Jo Shakhs Nabi Kareem ﷺ ki Muhabbat Ka Daava karta ho aur Fuqra Masakeen se Nafrat rakhe Uska Daava jhoota hai,*
*4_ Jo Shakhs Dozakh se Khof rakhne Ka Daava kare aur Gunaaho Se parhez na kare Uska Daava hargiz Sahi nahi _,”*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷ PART- 06✷*
✯—————————————✯
*✺ Jo 6 Kaam Nahi Karta Wo 6 Cheeze Nahi Pa Sakta ✺*
*★_ Baaz Hukma ne Farmaya k Jo Shakhs in 6 Cheezo Ka Khayal nahi karta Wo 6 Cheeze bhi nahi Pa Sakta :-"*
*1_ Jo Shakhs khud Apne se Doosro ko ilm v Fazal me zyada nahi samajhta, Wo Aadmi khud Pasandi SE nijaat bhi nahi pa Sakta,*
*2_ Jo Shakhs Allah Ke Paas Jane se nahi darta Uska Dil Haraam aur Mushtaba cheezo se nijaat bhi nahi pa Sakta,*
*3_ Jo Shakhs Makhlooq SE ummeede nahi Tod Sakta Wo Aadmi Laalach se nijaat bhi nahi pa Sakta,*
*4_ Jo Shakhs Apne Kaamo ki nigehbani nahi kar Sakta Wo Aadmi dikhawe se nijaat bhi nahi pa Sakta,*
*5_ Jo Shakhs Dil ki Hifazat ke liye Allah se madad nahi maang Sakta Wo Aadmi Hasad jesi Bimaari se nijaat bhi nahi pa Sakta,*
*6_ Jo Shakhs Allah se nahi darta Wo Zubaan Ki Lagzish se mehfooz nahi reh Sakta_,”*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-07✷*
✯—————————————✯
*✺ Ek Gunaah Karne me 10 Tarah Ke Ayb Hai’n ✺*
*★_ Kitaab “_ Tanbihul Rijaal ” me Buzurgo Ka Qaul Likha hai k Ek Gunaah Karne me 10 Ayb Hai’n:-*
*1_ Jab Banda Koi Gunaah karta Hai to Us Khuda e Khaliq v Bartar ko naraaz karta Hai,Jisko us per Har Waqt Qudrat Haasil hai ,*
*2_ Apne ese Saathiyo’n ko Takleef pahunchayi Jo usko kabhi Takleef nahi dete ,Yani Wo Farishte Jo uske Muhafiz Hai’n ,*
*3_ Esi zaat Ko Khush karta Hai Jo Khuda ke Nazdeek Sabse zyada Zaleel aur Qabile Nafrat Hai,Yani Shaitaan La’yin ..Jo Uska bhi Dushman hai aur Khuda Ka bhi Dushman hai,*
*4_ Nihayat Achchhe Muqaam Yani Jannat Se door Ho jata hai,*
*5_ Bahut Bure Muqaam Yani Dozakh ke qareeb ho jata hai,*
*6_ Wo Ese Shakhs per Zulm karta Hai Jo usko Sabse zyada pyara hai Yani Khud Apne Aap per ,*
*7_ Usne Apne Aapko napaak Kar liya Halanki Allah Ta’ala ne usko Paak v Saaf paida Kiya tha,*
*8_Apni Gunahgaari per Zameen aur Asmaan ,Raat aur Din ko gawaah banaya aur Unhe Takleef pahunchayi,*
*9_ Hazrat Rasoole Kareem ﷺ Ki Roohe Paak ko Qabre Anwar me gamgeen Kiya ,*
*10_ Usne Khuda ki Makhlooq ke Saath Chahe insaan ho ya gair insaan ,khayanat ki _,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-08✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 Baate Khayr Ka Darwaza band Kar deti Hai’n ✺*
*★_ Hazrat Yahya bin Mu’az Rehmatullahi Alaihi se rivayat hai k Allah Ta’ala Apne Bando pet Khayr Ka Darwaza 6 Baato ki vajah se band Kar deta hai :-*
*1_ Log Allah Ki Ni’amate khaate Hai’n aur Shukr nahi baja laate ,*
*2_ Gunaah Karte Chale jaate Hai’n aur Tauba nahi karte ,*
*3_ Jabki Log ilm haasil karte Hai’n aur Us per Amal nahi karte ,*
*4_ Nek Logo ke Saath bethte Hai’n aur Unke Tareeqe per Nahi chalte ,*
*5_ Maal v Daulat ke Maalik Hote Hai’n aur Akhirat ke liye Kuchh Tosha Jama nahi karte ,*
*6_ Murde Ko Dafan Karte Hai’n aur Nasihat nahi Pakadte _,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-09✷*
✯—————————————✯
*✺ Qayamat Ke Din 3 Qism Ke Log Gam me ho’nge ✺*
*★_ Rivayat me hai k Qayamat ke Din Sabse zyada Afsos 3 Qism ke Aadmiyo’n ke liye Hai’n :-*
*1_ Wo Aaqa ( Maalik ) Jiska Koi Nek bakht Gulaam ( Naukar ) ho aur Usko Uske A’amaal ki vajah se Qayamat ke Din jannat me dakhil Kiya Jayega aur Uske Bad A’amaal Aaqa ko Jahannam me Fai’nka Jayega , Us Waqt us Aaqa ko Apni Daulat per Sakht Hasrat Afsos Hoga _,*
*2_ Wo Shakhs Jisne Badi Mehnat SE Jhoot bol bol Kar aur Zakaat v Khairaat rok rok Kar Maal v Daulat Jama Kiya aur mar gaya, Fir Uske Vaariso ne us Maal v Daulat ko Khuda ki ita’at me Kharch Kiya ,Jiski vajah se Wo Vaaris Qayamat ke Din nijaat pa Kar Jannat me Jayenge aur Maal Jama Karne wala Dozakh me Fai’nka Jayega _,*
*3_ Wo Aalim Jo Khud be Amal ho aur Logo ko Hadees ki baate Sunaye, Log Uski Baato ki vajah se Qayamat ke Din nijaat pa Jayenge aur Khud Aalim be Amal Jahannam me Hoga _,*
*( Hawala– Tazkiratul Wa’izeen -250 )*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-10✷*
✯—————————————✯
*✺Sadqa v Khairat Karne Wale Ke Liye Duniya v Akhirat me 6 Ni’amate ✺*
*★_ Shaikh Ahmad Jaam Reh. Farmate hai’n k Khiraat Karne wale Ke liye 6 in’amaat hai’n,5 Duniya me aur Ek Aakhirat me, Duniya ke 5 Ye Hai’n :-*
*1_ Uska Maal Paak ho jata hai_,*
*2_ Uska Jism Andar se Paak Ho Jata Hai_,*
*3_ Uske Badan Ki Bimaari Khatm ho Jati Hai_,*
*4_ Hamesha Allah Ka Zikr Uski Zubaan per Jaari hota hai _,*
*5_ Wo Shakhs Maut Ke Waqt Ba Awaaze Buland Kalma Shahadat padhega _,*
*★_ Akhirat me Ye Hai k Qayamat Ke Din Jab Tamaam Log Allah Ta’ala ke Saamne Hisaab Ke Liye Haazir honge aur Aaftaab ( Suraj ) Sava Neze per Hoga ,Wo Shakhs Apne Sadqa v Khairaat ke Saaye me rahega _,*
*📕 Hawala Tazkiratul Wa’izeen-145,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-11✷*
✯—————————————✯
*✺ Hamesha Ba Wazu rehne Ki 13 Barkat ✺*
*★_ Hamesha Ba Wazu rehne wale Ke liye 13 Fazilate Ye Hai’n :-*
*1_ Ba Wazu rehne wale Ke Tamaam Aaza Allah ki Tasbeeh Karte Hai’n,*
*2_ Uski Takbeere Awla in sha Allah Faut na hogi ,*
*3_ Jab So Jata Hai to Allah Ta’ala Farishte bhej Deta Hai Jo use Jin v insaan Ke Shar se mehfooz rakhte Hai’n ,*
*4_ Rasulullah ﷺ ki Sunnat Ka Paband rahega ,*
*5_ Allah Ta’ala Uske Faqr v Haajat ko door Kar dega ,*
*6_ Tamaam Farishte aur Arsh ko uthane wale Uske Liye Dua e Magfirat karte Hai’n,*
*7_ Maut Ke Waqt use gaib se Awaaz aati hai k Ey mere Bande ! Koi Khof v Gam Na Kar Kyunki Mai’n tujhse Raazi Hu’n,*
*8_ Maut Ki Sakhti us per Asaan ho Jati Hai,*
*9_ Kiraman Kaatibeen Ka Qalam Uska Sawaab likhne Ki vajah se har Waqt Tar rehta hai ,*
*10_ Allah Ta’ala usko Jannat Ke Shehad ki Sharaab pilayega Jis per Aaj tak Muhar laga rakhi hai ,*
*11_ Usko Allah Ki ibaadat ki Tofeeq Naseeb hogi ,*
*12_ Uska Dil Hamesha naram rahega Jiski vajah se Allah Ta’ala usko Shaheedo ke zamre ( Jama’at) me dakhil karega ,*
*13_ Uska Shumaar Allah v Rasool ﷺ ki Jama’at me Hoga _,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-12✷*
✯—————————————✯
*✺ Hasad Karne Wale Per 5 Musibate ✺*
*★_ Buzurgo Ka Qaul hai k Hasad se bad Kar insaan Ke Liye Koi Shay Musibat dene wali nahi Kyunki Hasad Karne Wala 5 Musibato’n Ka mustahiq hai Jiska Mashood ( Yani Jisse Hasad Kiya Jaye ) per Koi Asar nahi padta _,,*
*1_ Be inteha Gam _,*
*2_ Wo Musibat Jiska Koi Ajro Sawaab nahi _,*
*3_ Mazammat ( Buraa’i ),Jiske Saath Koi Tareef nahi_,*
*4_ Usse Khuda Na Khush hota hai_,*
*5_ Us Per Tauba Ka Darwaza band rehta hai aur Usko Tauba ki Tofeeq nahi Hoti _,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-13✷*
✯—————————————✯
*✺ Shaitaan Ke 10 Dost ✺*
*★_ Shaitaan Ke ye 10 Log Bhai aur Dost Hai’n :-*
*1_ Zaalim Badshaah _,*
*2_ Maaldaar Takabbur Karne wala _,*
*3_ Khayanat Karne Wala _,*
*4_ Sharaab Pine Wala _,*
*5_ Geebat Karne wala _,*
*6_ Badkaari Karne wala _,*
*7_ Yateemo Ka Maal Khane wala _,*
*8_ Namaz me Susti Karne Wala _,*
*9_ Zakaat na dene Wala _,*
*10_ Zyada ummeede baandhne wala _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 28..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-14✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Baato Ko Ganimat Jano ✺*
*★_ Baaz Buzurgo ne farmaya k Apni Zindgi me 5 Baato Ko Ganimat Jano :-*
*1_ Agar mojood raho to Pehchane na jao _,*
*2_ Agar gaa’ib raho to Talash na kiye Ja’o _,*
*3_ Agar Haazir raho to Tumse Mashwara na Kiya Jaye _,*
*4_ Agar Tum koi Baat kaho to Use qubool na Kiya Jaye_,*
*5_ Agar Tum koi Achchha Amal Kar betho to Khud Pasandi me mubtila na ho _,*
*★_ Mazeed 5 Baato ki Vasiyat Karte Hai’n :-*
*1_ Agar Tum per zulm ho to tum zulm na Karo _,*
*2_ Agar Tumhari Tareef Ki Jaye to tum Khush na ho _,*
*3_ Agar Tumhe Jhutlaya Jaye to tum Gusse me na Aa’o _,*
*4_ Agar Tumhari Buraa’i Bayan ki Jaye to tum Pareshan na ho _,*
*5_ Agar Tumhare Saath Khayanat ho Jaye to tum Khayanat na Karo _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 28.Ba Hawala Mawa’iz .,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-15✷*
✯—————————————✯
*✺ Teen Kaam Allah Ki Rehmat Ka Zariya Hai’n ✺*
*★_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Janabe Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya :- Teen Sifaat esi Hai’n,Jisme payi jayengi Allah Ta’ala usko Apne Qareeb Jagah denge ,Apni Rehmat se Us ( ke Gunaaho aur uyoob ) ki Parda poshi karenge aur Usko Apni Muhabbat me dakhil karenge _,*
*1_ Wo Shakhs Jisko koi Ni’amat di Jaye to Shukr kare _,*
*2_ Jab Kisi ( Zaalim vagera ) per inteqam ki Qudrat paye to Maaf Kar de _,*
*3_ Jab Gazab naak ho to Gussa pi Jaye _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-29 Ba Hawala Haakim ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-16✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Sifaat Per Jannat Ke Mahal Ka Tohfa ✺*
*★_ Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyllahu Anhu farmate hai’n k Chaar Sifaat Esi Hai’n k Wo Jis Shakhs me Payi jayengi Allah Ta’ala Uske Liye Jannat me Mahal Bana denge :-*
*1_ Aur Jab Usko koi Cheez di gayi to Usne “Alhamdulillah” Kaha _,*
*2_ Aur Jab Koi Gunaah Sarzad hua to Usne Kaha – “Astagfirullah” ( Mai’n is Gunaah Ke bare me Allah Se Maafi Chahta Hu’n )_,*
*3_ Wo Shakhs Jiske Maamle Ka Tahaffuz ” La ilaha illallah ” ho ,( Yani Jis Shakhs ko koi bhi Aham Kaam Pesh Aaye to wo Kalma e Toheed ke Saath Apna bachaav kare, Zubaan se Padh Kar aur Allah per Bharose Ke Saath ) _,*
*4_ Jab Usko koi Musibat pahunche to “inna lillahi wa inna ilaihi Raji’uon ” kahe ,( Hum bhi usi ke Hai’n aur Ye cheese bhi uski ki Hai’n,Ye bhi Allah ki taraf Chali gayi aur Hum bhi usi ki taraf chale Jayenge )_,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-31 Ba Hawala- Ashkurullah ibne Abi Duniya -183 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-17✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 Cheeze Dilo me Fasaad Paida Karti Hai’n ✺*
*★_ Hazrat Hasan Basri Rehmatullah farmate hai’n k Dilo me Fasaad 6 Cheezo SE Paida hota hai :-*
*1_ Pehli Cheez ye Hai k Log Tauba Ki Ummeed per Gunaah Karte rehte Hai’n ,*
*2_ Doosri Cheez ye Hai k Apne Murdo ko Dafan Karte Hai’n aur Dehshat nahi pate ,*
*3_ Teesri Cheez ye hai k Amal Karte Hai’n aur ikhlaas paida nahi karte ,*
*4_ Chothi cheez ye Hai k Allah Ka Rizq khate Hai’n aur Shukr nahi karte ,*
*5_ Paanchvi Cheez ye Hai k Apni Taqseem chahte Hai’n aur Allah ki Taqseem per Raazi nahi rehte ,*
*6_ Chhati cheez ye Hai k ilm seekhte Hai’n Amal nahi karte _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 32..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-18✷*
✯—————————————✯
*✺ Akhlaaqiyaat Ki 3 Baate ✺*
*★_ Huzoor Akram ﷺ ke Haqeeqi Chachazaad Bhai Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyllahu Anhu farmate hai’n , Akhlaaqiyaat me se Teen Baate esi Hai’n Jo Zamana Jaahiliyat me bhi Achchhi samjhi Jati thi, Musalman to in Baato ke aur bhi Zyada laa’iq v Sazawaar Hai’n:-*
*1_ Agar Unke Yaha’n koi mehmaan aata to khoob Lagan se uski Mehmaan Nawazi Karte ,*
*2_ Agar Kisi ki Bivi Budhi ho Jati to use Talaaq na dete Balki is Andesha se k Kahi’n ye bechari barbaad hi na ho Jaye use Apne Paas hi rakhte _,*
*3_ Agar Unke Hamsaya ( Padosi ) ko Qarz ya Tangdasti ya koi aur Aafat Pahunchti to Wo log Uske Qarz ki Adaaygi aur use Pareshani SE nikaalne ke liye Poori Jaddo Jahad se Kaam Lete _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 32 Ba Hawala- Tambeehul Gafileen-51,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-19✷*
✯—————————————✯
*✺ Kasrat Se Ha'nsne Wale Per 10 Azaab ✺*
*★_ Baaz Ahle Ma’arfat Ka kehna hai k Jo Shakhs Kasrat se Ha’nsega Wo 10 Azaabo me mubtila Hoga :-*
*1_ Uske Chehre ki Ronaq Jati rahegi _,*
*2_ Uska Dil mar Jayega _,*
*3_ Shaitaan usse Khush Hoga _,*
*4_ Allah Ta’ala ko Qayamat ke Din usse Nafrat Hogi _,*
*5_ Farishte Us per Laanat karenge _,*
*6_ Uski Badkaariyo se Mizaane Amal wazni ho Jayega _,*
*7_ Pul Siraat Per 40 Baras tak Khada rahega _,*
*8_ Rasulullah ﷺ Qayamat ke Din usse moonh fayr lenge _,*
*9_ Zameen v Aasmaan Ke rehne wale usse bugz rakhenge _,*
*10_ Qayamat me Tamaam Ambiya v Auliya v Shohda ke Saamne Zaleel v Ruswa Hoga _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-34 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-20✷*
✯—————————————✯
*✺ Walden Ke Nafarman ko 12 Musibato guzarna Padega ✺*
*★_ Ahle Ma’arfat Ka kehna hai k Walden Ke Nafarman ko 12 Musibato se guzarna Padega_:-,*
*1_ Walden Ke Nafarman Shakhs ki nekiyo Ka sahifa khushk rahega _,*
*2_ Nafarman Shakhs ko ita’at Baari Ta’ala ki Tofeeq na hogi _,*
*3_ Nafarman Shakhs ki Namaze Roze aur ibaadate qubool na hogi _,*
*4_ Nafarman Shakhs bager Tauba ke is Duniya se Jayega _,*
*5_ Nafarman Shakhs imaan se khaali ho Kar Duniya se kooch karega _,*
*6_ Nafarman Shakhs Ka Hashr faasiq logo ke Saath Hoga _,*
*7_ Nafarman Shakhs Marte Waqt Kalma Shahadat Bhool Jayega _,*
*8_ Nafarman Shakhs Toheed Baari Ta’ala Bhool Jayega_,*
*9_ Nafarman Shakhs munkar nakeer Farishto ko Sahi Jawab na de sakega _,*
*10- Nafarman Shakhs ki peshi Allah Ta’ala ke Huzoor me sakht hogi _,*
*11_ Nafarman Shakhs ki Qabr us per tang Kar di jayegi _,*
*12_ Nafarman Shakhs Jahannam ka mustahiq Hoga _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- .35.,*
*✺_ _✺*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-21✷*
✯—————————————✯
*✺ Roshan Qabro Wale Nek Logo Ke 11 Giroh ✺*
*★_ Baaz Ahle Ma’arfat ne Likha hai k Nek Logo ke 11 Giroh ese Hai’n Jinki Qabro me Qayamat tak Roshni aur Farakhi hogi :-*
*1_ Wo Shakhs Jo Bimaar Ki Ayadat ko Jaye _,*
*2_ Jo Shakhs Garmiyo’n me Roze rakhe _,*
*3_ Jo Shakhs Apne Qaul Ka Sachcha ho _,*
*4_ Jo Shakhs Apne MusibatZada Bhai ki madad kare _,*
*5_ Jo Apne Maa’n Baap ki khidmat guzari aur farmabardaari kare _,*
*6_ Wo Aurat Jiska Shohar usse Khush ho _,*
*7_ Jo Shakhs Ummate Muhammadiya Ki islaah v Durusti ko Dost rakhe ( Ye Wo Ulma Hai’n Jo ilme Fiqha v Hadees Ki Taleem Ummat ko dete Hai’n ) _,*
*8_ Wo Sahibe imaan Jiski Tamaam Umar Faaqe ki vajah se Bhook me guzri _,*
*9_ Jisne Kasrat se Kalma Tayyaba La ilaaha illallahu Muhammadur Rasulullah Ka Vird rakha _,*
*10_ Jo Shakhs Fuqra Masakeen aur Yateemo se Muhabbat rakhe _,*
*11_ Wo Sakhi mard Jo Apni thodi Aamdani se Allah ki Raah me Khairaat kare _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-37 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-22✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheezo me imaan Ki Mithaas Payi Jati Hai ✺*
*★_ Sayyadna Usman Raziyllahu Anhu farmate hai’n :- Maine ibaadat ki chaashni Chaar Cheezo me Payi hai :-*
*1_ Allah Ke muqarrar Karda Fara’iz ki Adaygi me _,*
*2_ Allah ki Haraam Karda Cheezo se Bachne me _,*
*3_ Allah ki Raza haasil Karne ki garaz se Neki ka Hukm dene me _,*
*4_ Allah Ke Gazab se Bachne ki Khaatir Buraa’i se rokne me _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 39 Ba Hawala – irshadul ibaad -90..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-23✷*
✯—————————————✯
*✺ 9 Qism Ki Aag aur Unka ilaaj ✺*
*★_ Ahle Ma’arfat Ka kehna hai k Aadam ki Aulaad ke andar 9 Qism Ki Aag mojood hai , Jinhe bujhane ke liye 9 Qism ke Pani ki zarurat hai :-*
*1_ Shehwat Ek Aag hai Jisko Sirf Roza bujhata hai _,*
*2_ Hirs Ek Aag hai Jo maut ki Aag se bujhti hai _,*
*3_ Nigaah ki Aag ke liye Dil me Khofe Khuda ki zarurat hai _,*
*4_ Gaflat ki Aag ke liye Allah Ka Zikr zaruri hai _,*
*5_ Jahaalat ki Aag ke waaste ilm ki baate Sunna Zaroori hai _,*
*6_ Pet Ki Aag Ko Halaal Rozi ki Haajat hai _,*
*7_ Zubaan ki Aag ke liye Tilawate Qur’an zaruri hai _,*
*8_ Gunaah ki Aag ko Tauba Ka Pani bujhata hai_,*
*9_ Sharmgaah ki Aag ke liye Nigaahe Halaal Chahiye _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- .44,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-24✷*
✯—————————————✯
*✺ insaan Ki Bad Bakhti Ki 11 Alamaat ✺*
*★_ Bad Bakhti ki 11 Alamate Hai’n :-*
*1_ Aadmi Maal jama Karne Per hareesho,*
*2_ Bad Akhlaaq ho ,*
*3_ Uski Himmat Shehwat aur Duniya ki Lazzat me ho ,*
*4_ Mutakabbir aur Fakhr Karne wala ho ,*
*5_ Fahash Baate Karne wala ho aur Geebat Karne wala ho ,*
*6_ Paanch Waqt Ki Namazo me Susti Karne Wala ho ,*
*7_ Uski Sohbat Bure logo ke Saath ho ,*
*8_ Momin ke liye Kam Reham Karne wala ho ,*
*9_ Bakheel Ho ,*
*10_ Logo Ka nafa na Chahne wala ho ,*
*11_ Maut Ko bhoolne wala ho ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 44..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-25✷*
✯—————————————✯
*✺ Nafs Ki islaah Ke Liye 4 Anmol Baate ✺*
*★_ Hazrat Shaikh Muniri Reh. ne Apni Asnaad me Tehreer farmaya hai k Maine 4 Laakh Kitaabe mutala Kar ke unme se 4 Baate Akhtyar ki , Apne Nafs se Kehta Hu’n :-*
*1_ Ey Nafs ! Agar Tu ibaadat karta Hai to Khaalis Allah Ta’ala ke liye ibaadat Kar Varna Uska diya hua Rizq Khana Chhod de _,*
*2_ Ey Nafs ! Jis Cheez se Allah Ta’ala ne mujhko mana farmaya hai usse Baaz reh , Varna Uske Mulk se Nikal ja _,*
*3_ Ey Nafs ! Jo Kuchh Allah Ta’ala ne qismat me likh diya hai us per Raazi ho , Varna Allah Ko Chhod Kar koi doosra Parwardigaar dhoondh le _,*
*4_ Ey Nafs ! Agar to Kisi Gunaah Ka iraada kare to Pehle esi Jagah Tajveez Kar Jaha’n Tujhko Allah Paak na dekhe , Varna Agar nijaat ki khwahish hai to Gunaah Ka Naam hargiz na le _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 45..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-26✷*
✯—————————————✯
*✺ Zindgi me insaan Ko 4 Cheezo Ka Gam ✺*
*★_’Ulma Ka Qaul hai k Zindgi me insaan Ko 4 Cheezo Ka Gam Hona Chahiye :-*
*1_ Apne Pichhle Gunaaho ko Yaad Kar Ke gamgeen Hona Chahiye, Jinki nisbat Maloom nahi k Allah Ta’ala maaf farmayega ya Nahi _,*
*2_ Ye Maloom hai k Pichhli Zindgi kesi guzri Lekin uski Kuchh khabar nahi k Aa’inda Zindgi kesi Basar hogi , is Baat ki gamgeeni Dil me Hona Chahiye _,*
*3_ Is Baat Ki khabar hai k Allah Ta’ala ke Yaha’n Jannat aur Dozakh do hi thikane Hai’n Lekin is Baat Ka ilm nahi k Akhirat me Apna thikana Kaha’n hoga ?*
*4_ Ye nahi Maloom k Allah Ta’ala humse Khush hai ya na-khush _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-47 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-27✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 A’amaal Jo har insaan Ko Karne Chahiye ✺*
*★_ Hazrat Memoon bin Mehraan Raziyallahu Anhu se rivayat hai k 5 Baato per Musalman aur Gair Muslim Dono ko barabar Amal Karna Chahiye :-*
*1_ Agar Tumhare paas koi Shakhs Amaanat rakhe to use Ada Karo _,*
*2_ Jo Shakhs Tumhara Azeez rishtedar hai to Uske Saath Sulook v Ahsaan Karo , Chahe Wo Musalman ho ya Gair ,*
*3_ Jis Shakhs se koi Ahado Paimaan Karo , use Poora Karo ,*
*4_ Agar Tumhare Maa’n Baap zinda ho to Unki Khidmat Karo ,*
*5_ Jis Shakhs Ka Tumhare zimme qarz ho use Jald Ada Karo Chahe Wo Musalman ho ya Gair ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-47 Tazkiratul Wa’izeen ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-28✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Tarah ke Hadiyo'n Ka Ahatmaam -1✺*
*★_ Ek Buzurg farmate hai'n k Rozana in Hadiyo'n Ka Ahatmaam Kiya Karo , Ye Hadiye us Waqt Kaam aayenge Jab Koi cheez Kaam na degi , Wo Hadiye Ye Hai'n :-*
*✺ Malikul Maut ke liye 4 Hadiye ✺*
*1_ Jhagadne Wale Ko Raazi Karna _,*
*2_ Faut Shuda ( Qaza ) ibaadat ko Ada Karna _,*
*3_ Maut ke liye Taiyaar rehna _,*
*4_ Allah Ke Didaar Ka Shoq rakhna _,*
*✺ Qabr Ke liye 4 Hadiye*✺*
*1_ Chugal Khori tark Karna _,*
*2_ Qur'an Majeed Padhna _,*
*3_ Peshaab ke Chheento se ahatyaat ke Saath Paak rehna _,*
*4_ Raat Ko jab sab log so rahe ho Namaze Tahajjud Ada Karna _,*
*✺ Munkar Nakeer ke liye 4 Hadiye ✺*
*1_ Sach Bollna ,*
*2_ Geebat se Tauba Karna ,*
*3_ Haq Baat Kehna ,*
*4_ Makhlooq Ke Saath Tawazo se pesh Aana ,*
*✺ Mizaane Amal Ke liye 4 Hadiye*✺*
*1_ Amal me ikhlaas ,*
*2_ Khush Akhlaqi ,*
*3_ Zikre ilaahi Ki Kasrat ,*
*4_ Takleef Ki Bardasht,*
*✺ Pul Siraat Ke Liye 4 Hadiye ✺*
*1_ Gusse Ko zabt Karna ,*
*2_ Parhezgaari ,*
*3_ Musalman Ki madad Karna ,*
*4_ Jume Ki Namaz Padhne Ke liye Paidal Jana ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 48..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-29✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Tarah ke Hadiyo'n Ka Ahatmaam -2✺*
*★_ Ek Buzurg farmate hai'n k Rozana in Hadiyo'n Ka Ahatmaam Kiya Karo, Ye Hadiye us Waqt Kaam aayenge Jab Koi cheez Kaam na degi , Wo Hadiye Ye Hai'n :-*
*✺ Maalik Dozakh ke liye 4 Hadiye ✺*
*1_ Khofe ilaahi se Rona,*
*2_ Chhupa kar Khairaat Karna,*
*3_ Gunaah se baaz aana ,*
*4_ Maa'n Baap ki khidmat Karna ,*
*✺ Rizwan Jannat Ke liye 4 Hadiye*✺*
*1_ Sakhtiyo per Sabr Karna ,*
*2_ Maal Ki Khairaat ,*
*3_ Huqooqullah Ki nigehdasht ,*
*4_ Maut Ko har Waqt Yaad rakhna , Baaz Kehte Hai'n k Auliya Allah se Muhabbat rakhna,*
*✺ Nabi Kareem ﷺ ke liye 4 Hadiye ✺*
*1_ Huzoor Akram ﷺ se Muhabbat rakhna ,*
*2_ Aap ﷺ ke Ahle Bait Kiraam se Muhabbat rakhna,*
*3_ Aap ﷺ ki hidayat per Chalna aur Sunnato Ka Ahatmaam Karna ,*
*4_ Aap ﷺ ke Ashaab Raziyllahu Anhum Ko Muhabbat se Yaad Karna ,*
*✺ Allah Ta'ala Ke liye 4 Hadiye*✺*
*1_ Logo'n ko Nek Kaam Ka Hukm dena ,*
*2_ Buri Baato se baaz rakhna ,*
*3_ Khalq e Khuda Ki Khair khwahi Karna ,*
*4_ Hukme Khuda per Raazi Hona ,*
*➡️ Jis Banda E Momin me Ye 36 Sifaate hongi usko Allah Ta'ala Zaroor Jannat me dakhil karega ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 49..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-30✷*
✯—————————————✯
*✺ Log 6 Cheezo Ki Muhabbat me 6 Cheezo ko Bhool Jayenge ✺*
*★_ Janabe Rasulullah ﷺ ne farmaya k Meri Ummat per ek Zamana Aane Wala Hai Jisme Logo ko 6 Cheezo se Muhabbat hogi aur 6 Cheeze Bhool Jayenge :-*
*1_ Makhlooq se Muhabbat rakhenge , Khaaliq Ko Bhool Jayenge ,*
*2_ Mehlo se Muhabbat rakhenge aur Qabro ko Bhool Jayenge ,*
*3_ Gunaaho se Muhabbat rakhenge aur Tauba ko Bhool Jayenge,*
*4_ Duniya se Muhabbat rakhenge aur Aakhirat ko Bhool Jayenge ,*
*5_ Zindgi se Muhabbat rakhenge aur Maut Ko Bhool Jayenge ,*
*6_ Maal se Muhabbat rakhenge aur Zakaat ko Bhool Jayenge ,*
*"★_ Ese Logo se Qayamat Ke Din Allah Ta'ala baizaar Hoga _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-52 Ba Hawala Tazkiratul Wa'izeen ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-31✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Aadmiyo'n Ke Saath na bethne Ki Wasiyat ✺*
*★_ Hazrat Abu Jaafar Muhammad bin Ali farmate hai'n k Mere Waalid ne Wasiyat farmayi :-*
*"_ 5 Aadmiyo'n ke Saath na rehna aur na unse baate Karna aur na Raaste me Unke Saath Guftgu Karna , Maine Kaha - Mai'n Aap per Qurban Jau'n Wo 5 Aahkhaas kon Hai'n ? Unhone Kaha :-*
*1_ Faasiq ke Saath na uthna bethna, isliye k wo Tujhe Ek Luqma ya usse bhi Kam ke badle me bech dega , Maine Kaha - Ek Luqme se Kam se kya Muraad hai ? Farmaya :- Wo Luqme ki Laalach karega fir usse bhi Mehroom rahega _,*
*2_ Bakheel ke paas na uthna bethna , isliye k wo ese Waqt me Maal rok lega Jab Tujhe uski zarurat hogi _,*
*3_ Jhoote ke Saath Mel Milaap na rakhna , isliye k wo Sharaab ki tarah hai , Qareeb ko door aur Door Ko qareeb Kar deta hai _,"*
*4_ Ahmaq se Bachna , isliye k wo chahega k Tujhe nafa pahunchaye lekin wo tumhe nuqsaan pahuncha dega _,*
*5_ Rishtedari Ka Talluq Khatm aur qata Karne walo ke Saath Mel jol na rakhna , isliye k ese Shakhs ko Maine Kitabullah me Teen maqamaat per mal'oun paya _,"*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-54 ,Shobul imaan ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-32✷*
✯—————————————✯
*✺ Khud Ko 4 Qism Ke Pani Se Saaf Karo ✺*
*★_ Hazrat Yahya bin Mu'az Rehmatullahi Ka Qaul hai k Apne Aapko 4 Qism Ke Pani Se dho Kar saaf Karna Chahiye :-*
*1_ Chehre Ko Sharm Ke Pani Se ,*
*2_ Dil Ko Gunaaho ki Sharmindgi aur Nadamat Ke Pani se ,*
*3_ Jism Ko Hurmat e Deen ke Pani se,*
*4_ Zubaan Ko ma'azrat ( Maafi ) Ke Pani Se ,*
*➡️ Jis Shakhs me ye Khoobiya'n hongi wo Banda Saleh aur Parhezgaar Hoga ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 54..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-33✷*
✯—————————————✯
*✺ Hairat aur Tajjub Ke 4 Maqamaat ✺*
*★_ Hadeese Qudsi me Aaya hai k Allah Ta'ala ne Hazrat Moosa se farmaya k Ey Moosa ! Maine 4 Cheezo ko 4 Khaas maqamaat per rakha hai aur log wo Cheeze doosre maqamaat per talab Karte Hai'n, Lihaza un Cheezo ko kyu Kar pa Sakte Hai'n ?*
*1_ Maine izzat ko khaliq ki khidmat me rakha hai aur log Badshaaho ke darwazo per izzat dgoondhte Hai'n, Lihaza kese pa Sakte Hai'n ?,*
*2_ Maine Raahat ko Jannat me rakha hai aur log Duniya me talab Karte Hai'n, Lihaza kese pa Sakte Hai'n ?*
*3_ Maine ilm ko Faaqa Kashi me rakha hai aur log Shikam Seri ( bhare pet ) me talab Karte Hai'n, Lihaza kese pa Sakte Hai'n ?*
*4_ Maine be-niyaazi ko qana'at me rakha hai aur log usko hirs me dgoondhte Hai'n, Lihaza kese haasil Kar sakte Hai'n ?*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-55 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-34✷*
✯—————————————✯
*✺ Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Tauba 5 Vajah se Qubool hui ✺*
*★_ Rivayat hai k Aadam Alaihissalam ki Tauba 5 Baato Ki vajah se Qubool hui :-*
*1_ Hazrat Aadam Alaihissalam ne Gunaah ko Apni Zaat se mansoob Kiya _,*
*2_ Gunaah Kar ke Sharminda hue _,*
*3_ Apne Nafs Ko Malaamat Kiya _,*
*4_ Tauba Karne me Jaldi ki _,*
*5_ Rehmate ilaahi se na Ummeed nahi hue _,*
*➡️ Lihaza Jis Shakhs ki Haalat Hazrat Aadam Alaihissalam ki maanind hogi , Allah Ta'ala uski Tauba qubool farmayega _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 56 Tazkiratul Wa'izeen ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-35✷*
✯—————————————✯
*✺ Shaitaan Per Laanat 5 Baato Ki Vajah se Padi ✺*
*★_ Shaitaan ki gardan me 5 Baato Ki vajah se Laanat Ka toq pada :-*
*1_ Shaitaan ne Apne Gunaah Ka iqraar nahi Kiya ,*
*2_ Gunaah Kar ke Sharminda nahi hua ,*
*3_ Apne Nafs Ko Malaamat nahi Kiya ,*
*4_ Tauba ki taraf maa'il nahi hua,*
*5_Allah Ki Rehmat Se na- Ummeed ho gaya*
*➡️ Jiski Kaifiyat Shaitaan ke muahaba hogi uski Tauba hargiz qubool na hogi _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 56..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-36✷*
✯—————————————✯
*✺ Momin 6 Tarah Ke Khof me ghira rehta hai ✺*
*★_Hazrat Usman Gani Raziyllahu Anhu ne farmaya k Momin 6 Tarah Ke Khof me mubtila rehta hai :-*
*1_ Allah se darta hai k wo usse imaan na Chheen le ,*
*2_ A'amaal likhne wale Farishto se darta hai k Wo Koi esi Cheez na likh Le'n Jiski vajah se Wo Qayamat ke Din Zaleel v Ruswa ho ,*
*3_ Shaitaan se darta hai k Wo Uske Amal ko Baatil na Kar de ,*
*4_ Malikul Maut se darta hai k Wo use Achanak Gaflat me na aa le ,*
*5_ Duniya se darta hai k Wo use dhoke me daal Kar Aakhirat se gaafil na Kar de ,*
*6_ Ahalo Ayaal se darta hai k unke Saath Mashgool ho Kar Allah Ke Zikr se Gaafil na ho Jaye ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 56..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-37✷*
✯—————————————✯
*✺ Jannat 10 Qism Ke Logo Ke Liye Muntazir hai ✺*
*★_ Tamaam Makhlooq Jannat ki mustaaq hai , Jabki Jannat ko 10 logo Ka ishtiyaaq hai :-*
*1_ Jo Shakhs Raat Ko neend se uth Kar do raka'at Namaz Ada karta Hai ( Yani Tahajjud padhta hai ),*
*2_ Jo Shakhs Garmiyo'n me Roze Rakhta hai ,*
*3_ Jiski Takbeere Awla faut na ho ,*
*4_ Jo Shakhs ibaadate ilaahi ki vajah se Raat Ko Bahut Kam soye ,*
*5_ Jo Shakhs Hamesha Sachchi Baat Zubaan per laye ,*
*6_ Jo Shakhs Sharaab vagera koi nasha ki cheez istemal na kare ,*
*7_ Jo Shakhs Hamesha Ba Wazu rahe ,*
*8_ Jo Shakhs har Aan Nabi Kareem ﷺ per darood Sharif bheje ,*
*9- Jo Shakhs Apne Ghar Walo aur Aulaad ke Saath Raham aur Shafqat se pesh Aaye ,*
*10_ Jo Shakhs Kisi bhooke ko pet Bhar Khana khilaye ya pyaase ko Pani se sairaab kare ya brahana ko Kapde pehnaye ya Kisi ki koi Haajat Poori kare ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 59..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-38✷*
✯—————————————✯
*✺ Nek Aadmi 6 Cheezo me Apne Aapko Masroof rakhta hai ✺*
*★_ Kisi daana Ka Qaul hai k Nek Aadmi ki masroofiyat ki 6 Cheeze Hai'n:-*
*1_ Jab Allah ko Yaad karta Hai to Fakhr karta Hai,*
*2_ Jab Apne Nafs Ko Yaad karta Hai to Hiqarat se Yaad karta Hai,*
*3_ Jab Allah ki Aayaat ko dekhta hai to Nasihat pakadta hai ,*
*4_ Jab Gunaah aur Shehwat ka khayal aata hai to use Chhod Deta Hai ,*
*5_ Jab Allah ke afu v darguzar ko dekhta hai to khuk hota hai,*
*6_ Jab Apne Gunaaho ko Yaad karta Hai to Allah se Maafi maangta hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 59..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-39✷*
✯—————————————✯
*✺ Nek A'amaal me Se 5 Aala Afzal A'amaal ✺*
*_ 1_ Daulat Pa Kar Tawazo Akhtyar Karna,*
*2_ Musibat me Sabr Karna,*
*3_ Tangdasti me Sakhawat Karna ,*
*4_ Bager Kisi qism Ka Ahsaan Jatlaye Achchha Sulook Karna ,*
*5_ Bavjood Qudrat ke Mujrim ki khata ko Maaf Kar dena ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 60..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-40✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Aadato Ki Vajah Duniya aur Aakhirat ki Kamyaabi✺*
*1_ Kalma Tayyaba Ka Vird karta ho ,*
*2_ Jab Us per koi Musibat Aaye to " inna lillahi wa inna ilaihi Raji'uon " Kehta hai ,*
*3_ Jab use koi Ni'amat mayassar ho to Shukr Ada karte hue " Alhamdulillahi Rabbil Aalameen " Kehta ho ,*
*4_ Jab Koi Kaam shuru kare to "Bismillaah " se shuru kare ,*
*5_ Jab usse koi Gunaah ho Jaye to Tauba kare , " Astagfirullahil Azeem wa Atubu ilaihi " Kehta hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 68..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-41✷*
✯—————————————✯
*✺ Makhlooq me Fasaad Ki 6 Jade'n ✺*
*★_ Hazrat Zulnoon farmate hai'n k Makhlooq me 6 Cheezo se Fasaad Paida hua hai :-*
*1_ Maut Qareeb hone ke bavjood badi badi ummeede lagaye rehte Hai'n ,"*
*2_ Apni Khwahisho ki taabedaari Karte Hai'n aur Sunnate Nabvi ﷺ ko pase pusht daal dete Hai'n ,*
*3_ Unke Badan Khwahishaat ke taabe hai'n ,*
*4_ Log Allah ki Raza per Makhlooq ki Raza ko Tarjeeh dete Hai'n ,*
*5_ insaano ki Aakhirat Ke Amal me niyat ki kamzori hai ,*
*6_ Buzurgo ki mamooli Lagzish ko Apne liye Hujjat samajh Lete Hai'n aur Unke beshtar Nek Kaamo ko chhupate hai'n ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 68..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-42✷*
✯—————————————✯
*✺ Pet Bhar Kar Khane Ke 5 nuqsaan ✺*
*★_ Hazrat Yahya Ma'az Raazi Reh. Farmate hai'n k :-*
*1_ Jo Shakhs Pet ko zyada bharta hai Uska Gosht zyada hota hai ,*
*2_ Jiska Gosht zyada hota hai uski Shehwat zyada Hoti Hai ,*
*3_ Jiski Shehwat zyada Hoti Hai Uske Gunaah zyada Hote Hai'n ,*.
*4_ Jiske Gunaah zyada Hote Hai'n Uska Dil sakht hota hai ,*
*5_ Jiska Dil sakht ho jata hai Duniya aur uski Zeenat me garq ho jata hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 69..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-43✷*
✯—————————————✯
*✺ Hazrat Shafeeq Balkhi ki 5 Nasihate ✺*
*★_ Hazrat Shafeeq Balkhi Reh. Ka farmaan hai k, Ey logo ! 5 baate Akhtyar Karo aur Dil se un per Amal pera ho :-*
*1_ Jis Tarah se Jannat me rehna chahte ho usi Andaze ke mutabiq Duniya me Nek A'amaal Ka zakhira Kar lo ,*
*2_ Duniya se is qadar hissa lo Jis qadar usme Nek Amal Karo ,*
*3_ Jis Tarah se Qabr me rehna ho , Uske mutabiq Nek A'amaal ka Tosha Saath le lo ,*
*4_ Azaabe ilaahi Jis qadar Bardasht Karne ki Qudrat ho , usi qadar Gunaah Karo ,*
*5_ Jis qadar ho sake Apni Taaqat ke muwafiq Allah ki ibaadat Karo ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-69 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-44✷*
✯—————————————✯
*✺ 10 Soorte 10 Cheezo se bachati Hai'n ✺*
*★_ Allama Jalaluddin Saivti Reh. Tehreer farmate hai'n k 10 Cheeze (Soorte) 10 Cheezo se bachati Hai'n :-*
*1_ Surah Fatiha Allah Ta'ala ke Gazab se bachati hai ,*
*2_ Surah Yaseen Qayamat ke Din Pyaase rehne se bachati hai ,*
*3_ Surah Dukkhan Qayamat ki Holnakiyo'n se bachati hai ,*
*4_ Surah Waqia Faqro Faaqa se bachati hai ,*
*5_ Surah Mulk Azaabe Qabr se bachati hai,*
*6_ Surah Kausar Dushmano ki Dushmani se bachati hai,*
*7_ Surah Kafiroon Maut ke Waqt Kufr se bachati hai,*
*8_ Surah ikhlaas Munafqat se bachati hai,*
*9- Surah Falaq Haasido ke Hasad se bachati hai,*
*10_ Surah Naas waswaso se bachati hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 74..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-45✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheeze Amal Ki Durustgi Ke Liye Zaroori Hai'n ✺*
*★_ Kaha jata hai k Aqalmand Shakhs ko 4 Cheezo ki zarurat hai Jinse Us Shakhs ke A'amaal Durust honge aur uski Mehnat barbaad na hogi:-*
*1_ Ek to ilm , Jo k Uske waaste Hujjat ban Jaye ,*
*2_ Doosra Tawakkul k ibaadatcme Yaksoo'i aur Khushi v Khuzu Paida kar sake aur Logo se Kisi qism ki tawaqqo wabasta na ho ,*
*3_ Teesra Sabr , k Uska Amal Mukammal ho ,*
*4_ Chhotha ikhlaas , k Uske Saath Sawab ka Mustahiq ho sake ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 75..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-46✷*
✯—————————————✯
*✺ Har Aadmi Per 5 Sakhtiya'n Aayengi ✺*
*★_ Har Aadmi per 5 Ghaatiya'n aur Sakhtiya'n Zaroor Aayengi :-*
*1_ Pul Siraat se Guzarne ki Sakhti ,*
*2_ Qabr ki qaid ki sakhti ,*
*3_ Qayamat Ke Din Maidaan ki Sakhti ,*
*4_ Maut Ki Sakhti ,*
*5_ Jannat me Jane se Pehle Hisaab Kitaab ki Sakhti ,*
*➡️ Pas Jo Mard aur Aurat Duniya me 5 Waqt Namaz Hamesha padhta rahega Usko in 5 Sakhtiyo'n se Allah Ta'ala bachayega ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 75.Ba Hawala Banate Ayesha .,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-47✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheezo Ka Daava 3 Cheezo Ke Bager Fizool hai ✺*
*★_ Hazrat Hatim Zahid Ka Qaul hai k Jo Aadmi Teen Cheezo Ka Teen Cheezo Ke Bager Daava karta Hai Wo Shakhs Jhoota hai :-*
*1_ Wo Shakhs Jo Apne Parwardigaar ki Muhabbat ka Daavedaar hai Lekin Uske Haraam se Parhez nahi karta ,*
*2_ Jo Aadmi Jannat ki Muhabbat Ka Daavedaar ho Lekin ita'at khudawandi me Daulat Kharch nahi karta ,*
*3_ Wo Shakhs Jo k Aan Hazrat ﷺ ki Muhabbat Ka Daavedaar ho Lekin faqeer logo se Muhabbat nahi karta aur Unki Sohbat Akhtyar nahi karta ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 76..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-48✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheezo Se Muhabbat ✺*
*★_ Hazrat Abu Darda Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Mai'n Teen Cheezo se Muhabbat karta Hu'n Jabki Log unse Nafrat Karte Hai'n aur Wo Teen Cheeze ye Hai'n :-*
*1_ Faqr .. Mai'n Faqr ko Pasand karta Hu'n Kyunki usse Aajizi paida Hoti Hai, aur Allah Aajizi ko Pasand karta Hai ,*
*2_ Bimaari ... Marz se Muhabbat karta Hu'n Kyunki usse Gunaah Maaf hote Hai'n ,*
*3_ Maut ... Mujhe maut se Muhabbat hai Kyunki Ye Allah se mulaqaat Ka Zariya hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 75..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-49✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheezo Ka Daava 3 Cheezo Ke Bager Fizool hai ✺*
*★_ Hazrat Hatim Zahid Ka Qaul hai k Jo Aadmi Teen Cheezo Ka Teen Cheezo Ke Bager Daava karta Hai Wo Shakhs Jhoota hai :-*
*1_ Wo Shakhs Jo Apne Parwardigaar ki Muhabbat ka Daavedaar hai Lekin Uske Haraam se Parhez nahi karta ,*
*2_ Jo Aadmi Jannat ki Muhabbat Ka Daavedaar ho Lekin ita'at khudawandi me Daulat Kharch nahi karta ,*
*3_ Wo Shakhs Jo k Aan Hazrat ﷺ ki Muhabbat Ka Daavedaar ho Lekin faqeer logo se Muhabbat nahi karta aur Unki Sohbat Akhtyar nahi karta ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 76..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-50✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Zehar e Qatil Cheezo Ka Tiryaaq ✺*
*★_ Buzurg farmate hai'n k Chaar Cheeze Zehar e Qatil Hai'n aur Chaar unka Tiryaaq Hai'n :-*
*1_ Duniya Zehare Qatil hai aur Zuhad ( Duniya se be ragbati ) iska Tiryaaq hai ,*
*2_ Maal Zehare Qatil hai, Zakaat iska Tiryaaq hai ,*
*3_ Kalaam ( Har Waqt bolna ) Zehare Qatil hai aur Zikrullah iska Tiryaaq hai ,*
*4_ Duniya ki Baadshahat Zehare Qatil hai aur Adl v insaaf iska Tiryaaq hai _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 76..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-51✷*
✯—————————————✯
*✺ Chaar Halaak Karne Wali Cheeze ✺*
*★_ Chaar Cheeze Halaak Karne wali Hai'n :-*
*1_ .... Mai'n ...,*
*2_..... Hum .....,*
*3_..... Mere Liye ...,*
*4_..... Mere Waaste ....,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 78..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-52✷*
✯—————————————✯
*✺ 8 Qism Ke Logo Ki Sohbat Ka Anjaam ✺*
*★_ Hazrat Allama Faqeeh Samarkandi Reh. farmate hai'n k Jo Shakhs 8 Qism Ke Logo Ke Paas bethta hai to minjanib Allah usme 8 Aadate paida ho Jati Hai'n :-*
*1_ Jo koi nabaalig Bachcho ke paas bethta hai to usme Gaflat aur mazaaq , Dillagi ki Aadat paida ho Jati Hai ,*
*2_ Jo Shakhs Gareeb Gurba ke paas bethta hai to ese Shakhs me minjanib Allah Shukre Khudawandi me izaafa ho jata hai ,*
*3_ Jo Shakhs Badshaahe Waqt Ke Paas bethta hai to usme Guroor aur Shaqawat paida ho Jati Hai ,*
*4_ Jo koi Khawateen Ke Paas bethta hai to usme Jahalat , Shehwate Nafsaani aur Khawateen ki Aql v Fahan ki jaanib rujaan hota Hai ,*
*5_ Jo koi Maaldaar ke paas bethta hai to usme Duniya ki Muhabbat aur Laalach Ka izaafa ho jata hai ,*
*6_ Jo Shakhs Faasiq v Faajir logo ki Sohbat me bethta hai to usme Gunaaho per jurr'at aur Tauba Karne me Susti paida ho Jati Hai ,*
*7_ Jo Shakhs Nek Logo ki Majlis me bethta hai to Khudawand Ta'ala usme ita'ate khudawandi me ragbat aur Haraam Cheezo se parhez me izaafa farma dete Hai'n ,*
*8_ Jo Shakhs Ulma Kiraam ki Sohbat me bethta hai to Khudawand Ta'ala Uske ilm aur Taqwe me izaafa farma dete Hai'n ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 78..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-53✷*
✯—————————————✯
*✺ 9 Sawalaat ✺*
*★_Hafiz ibne Asakar ne Apni Tareekh me Hamaad bin Muhammad Raziyllahu Anhu ke hawale se ye Rivayat naqal ki hai k Hamaad bin Muhammad Raziyllahu Anhu Kehte Hai'n k Ek Aadmi ne Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se khat likh Kar in Cheezo ke mutalliq Sawal Kiya :-*
*1_ Wo konsi cheez hai Jisme na Gosht hai na Khoon Lekin iske bavjood Wo Kalaam Karti hai ?,*
*2_ Wo konsi cheez hai Jisme na Gosht hai na Khoon Lekin iske bavjood Wo daudti hai ?*
*3_ Wo konsi cheez hai Jisme na Gosht hai na Khoon Lekin iske bavjood Wo Saans leti hai ?*
*4_ Wo Konsa jaandaar hai Jo mar gaya Fir uski vajah se doosra Jaandaar ( Jo mar chuka tha ) zinda ho gaya ?,,*
*5_ Wo Konsa Farishta hai Jise Allah Ta'ala ne mabous farmaya Magar na to Wo Jin hai na Farishta _?,*
*6_ Wo konsi do Cheeze Hai'n Jinme na Gosht hai na Khoon Lekin iske bavjood jab unse khitaab kiya gaya to un dono ne jawab diya ?*
*7_ Hazrat Moosa Alaihissalam ki Walida ne Hazrat Moosa Alaihissalam ko Dariya me daalne se Pehle Kitni muddat tak Doodh pilaya tha aur Wo Konsa Dariya hai Jisme Moosa Alaihissalam ko daala gaya aur Wo Konsa Din hai Jisme Hazrat Moosa Alaihissalam ko Dariya me daala gaya ?,*
*8_ Hazrat Aadam Alaihissalam ke Qad ki Lambayi Kitni thi ? Aap kitne Saal zinda rahe aur Aapka wasi Kon tha ?*
*9_ Wo Konsa Parinda hai Jo Ande nahi deta aur use haiz aata hai ?*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- .80.,*
*➡️ Jawabaat Agli Post me honge in sha Allah, jab tak Aap Hazraat Jawab dene ki Koshish Kare'n _,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-54✷*
✯—————————————✯
*✺ Sawalo Ke Jawabaat ✺*
*★_ Abdullah ibne Abbas Raziyallahu Anhu ne in Sawalo Ke Jawab Yu'n diye :-*
*1_ Pehli Cheez Aag hai ( Yani Jahannam ) Jo Allah Ta'ala se kahegi "_ Hal mim Mazeed ( Kya Kuchh aur hai ?)_,"*
*2_ Doosri cheez Hazrat Moosa Alaihissalam Ka Asaa hai,*
*3_ Teesri Cheez Subeh hai _,*
*4_ Chothe Sawal Ka Jawab ye hai k Wo Bani israiyl ki Gaay hai Jiska Tazkira Allah Ta'ala ne Qurane Kareem me Kiya hai ,*
*5_ Paanchve Sawal Ka Jawab ye hai k Allah Ta'ala ki taraf se Mabous Kiya jane wala Farishta wo Kawwa hai Jisko Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam Alaihissalam ke Bete Qaabeel ki taraf bheja tha ,*
*6_ Chhati Cheez Aasman v Zameen hai Jo Allah Ta'ala se Kahenge Hum Khushi se Haazir Hote Hai'n ,*
*7_ Hazrat Moosa Alaihissalam ko unki Walida ne Dariya me daalne se Pehle Teen Maah Doodh pilaya tha aur Jis Dariya me Hazrat Moosa Alaihissalam ko daala gaya tha Uska Naam Bahar Qalzum hai aur jis Din unko Dariya me daala gaya Wo Juma Ka din tha ,*
*8_ Hazrat Aadam Alaihissalam ke Qad ki Lambayi 60 zira thi aur Aapki Umar 940 Baras thi aur Aapke Wasi Hazrat Shoyeb Alaihissalam they ,*
*9_ Wo Parinda Al- Watoot Yani Chamgadad hai , Ye Wo Parinda hai Jisko Hazrat Iysa Alaihissalam ne Allah Ta'ala ke Hukm se Apne Haatho se banaya tha aur Fir usme Rooh foo'nki _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 80..,* ★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-55✷*
✯—————————————✯
*✺ Tauba Ko Kha Jane Wali 4 Cheeze ✺*
*★_ Baaz Danishwaro Ka Qaul hai k Chaar Cheezo se Aadmi ki Tauba Saaqit ho Jati hai Lihaza unse ahatyaat Kare'n :-*
*1_ Wo Apni Zubaan Ko fizool aur Lagv Baato se roke _,*
*2_ Wo Apne Dil me Kisi ke liye Hasad aur Bugz na rakhe _,*
*3_ Bure logo ki Sohbat se ijtinaab kare _,*
*4_ Maut Ki Taiyari kare , Pehle Gunaaho per Nadamat v Tauba kare aur Apne Parwardigaar ki ita'at me Koshish kare _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- ..84,* ★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-56✷*
✯—————————————✯
*✺ Sone Se Pehle 4 Baato Per Gaur ✺*
*★_ Ek Buzurg farmate hai'n k Chaar Baato per Gaur kiye bager Kisi Ko Sona munasib nahi :-*
*1_ Ye Gaur Kare k Kisi Ka mujh per Haq to nahi , Agar ho to use Ada kare ya Maaf karaye _,*
*2_ Dhyan Kar Ke soye k Allah Ka koi Farz ( Namaz Vagera ) mere Zimme baqi to nahi , Agar ho to Foran Ada kare _,*
*3_ Sone se Pehle Tamaam Gunaho se Tauba Kar Le'n _,*
*4_ Wasiyat Kar Ke rakh Le'n ( Kya Maloom ye Aakhri neend ho aur iske baad jaagna Naseeb na ho )_,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- .85.,* ★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-57✷*
✯—————————————✯
*✺ Jaagne Ke Baad 3 Baato per Gaur ✺*
*★_ Kisi Buzurg ne farmaya :- Subeh ko Teen Khayalaat Ke Saath Aadmi uthta hai :-*
*1_ Koi Maal ki talab le Kar Uthta hai ,*
*2_ Koi Gunaah ki khwahish ke Saath uthta hai ,*
*3_ Koi Sahi Raaste ki Talash me Justju le Kar Uthta hai ,*
*➡️ Jo Maal ki talab le Kar Uthta hai use Yaqeen Kar Lena Chahiye k Muqaddar se zyada Rozi nahi mil Sakti Chahe Kitni hi Koshish Kar le , Gunaah Ki khwahish me uthne wala Kabhi Zillat v Ruswayi se nahi Bach Sakta _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-86 ..,* ★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-58✷*
✯—————————————✯
*✺ Bivi ke 5 Huqooq ✺*
*★_ Hazrat Umar Farooq Raziyllahu Anhu Ka farmana hai k mere Zimme Bivi ke Kuchh Huqooq baqi Hai'n Jiski vajah se Mai'n Ahliya ko Maaf Kar raha Hu'n :-*
*1_ Pehli Baat ye Hai k wo mere aur Jahannam Ke Darmiyaan ek Aad hai Jiski vajah se Mera Dil Haraam se mehfooz rehta hai ,*
*2_ Doosra ye k Mai'n Jis waqt Safar me Chala jata Hu'n to Meri Ahliya mere Ghar ke Samaan ki Hifazat aur nigrani Karti hai ,*
*3_ Teesra ye k wo Meri har Tarah se khidmat guzaar hai, Kapde dhoti hai aur digar Ghar ke Kaam Anjaam deti hai ,*
*4_ Chothi Baat ye Hai k Aulaad ki Tarbiyat aur Parwarish Karti hai, Unko Adab sikhlati hai ,*
*5_ Paanchvi Baat ye Hai k Wo Mera Khana pakati hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 87..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-59✷*
✯—————————————✯
*✺ Huzoor ﷺ Ki 5 Nasihate ✺*
*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyllahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne farmaya k koi esa Shakhs hai Jo in Baato per khud Amal kare ya Kam az Kam un logo ko hi bata de Jo in Per Amal Kare'n, Maine arz Kiya Ya RasuLullah ! Mai'n Haazir Hu'n , Aap ﷺ ne Mera Haath pakda aur ye Baate irshad farmayi :-*
*1_ Haraam Baato se door rehna , bade ibaadat guzaar Bando me shumaar hoga ,*
*2_ Allah Ta'ala ne jo Tumhari taqdeer me likh diya hai us per Raazi rehna , bade Be niyaaz Bando me shumaar hoge ,*
*3_ Apne Padosi se Achchha Sulook Karna, Momin ban jaoge ,*
*4_ Jo Baat Apne liye chahte ho Wohi Doosro ke liye Pasand Karna, Kaamil Musalman ban jaoge ,*
*5_ Bahut qehqahe na lagana , Kyunki zyada ha'nsna Dil murda Bana Deta Hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 87.Ba Hawala- Musnad Ahmed , Tirmizi .,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-60✷*
✯—————————————✯
*✺ 700 Ulma Kiraam Ka 5 Sawalo Per Ek Jawab ✺*
*★_ Hazrat Shafeeq Balkhi Reh. ne farmaya k Maine 700 Ulma Kiraam se 5 baate daryaft ki Jo darje zel hai'n aur Sabne ek jesa Jawab irshad farmaya :-*
*1_ Aqalmand Kon hai ? Jawab- Aqalmand wo hai Jo Duniya Ko Mehboob na rakhe ,*
*2_ Ameer Kon hai ? Jawab - Ameer wo hai Jo Khuda ki taqdeer Per Raazi rahe ,*
*3_ Zirak ( Aqalmand, Daana ) kon hai ? Jawab - Zirak Wo hai Jo Duniya ko Apne Aap per Farefta ( Aashiq ) na kare ,*
*4_ Bakheel Kon hai ? Jawab - Bakheel Wo Shakhs hai Jo Zakaat na de ,*
*5_ Darwesh Kon hai ? Jawab - Darwesh Wo hai Jiske Dil me Duniya ki zyaadti ki khwahish na ho ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 87*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-61✷*
✯—————————————✯
*✺ Teen Cheeze ✺*
*1_ Teen Cheezo Per Qabu rakho - Gussa , Zubaan , Nafs _,*
*2_ Teen Cheezo Ka Hamesha Khayal rakho - imaan , Sachchayi , Neki _,*
*3_ Teen Cheezo Ka Hamesha Yaad rakho - Nasihat , Ahsaan , Maut _,*
*4_ Teen Cheezo Ke Liye Lado - islam , Mulk , Haq _,*
*5_ Teen Cheezo Ka Ahatraam Karo - Ustaad , Walden , Qanoon _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 90..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-62✷*
✯—————————————✯
*✺ Wali Allah Banne Ki 7 Aadate ✺*
*★_ Ek Roz Khalifa Haroon Rasheed ne Logo se Kaha k Agar Nek Bande banna chahte ho to Bachcho Jesi Aadate Bana lo , Logo ne Puchha, wo Kese ? Khalifa ne Kaha - Bachcho me 7 Aadate Hoti Hai'n Agar Ye Aadate bado me Ho'n to Wo Wali Allah ban Jaye , Wo Aadate ye Hai'n :-*
*1_ Rizq Ka gam nahi karte _,*
*2_ Mil Kar khaate Hai'n_,*
*3_ Ladayi Ke baad Jald Suleh Kar Lete Hai'n_,*
*4_ Apne Bado se darte Hai'n _,*
*5_ Ladte Hai'n to Dil me Keena nahi rakhte _,*
*6_ Zara si dhamki se Rone lagte Hai'n_,*
*7_ Dushmani Hamesha nahi rakhte _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- .91.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-63✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheeze Buri Hai'n Lekin 4 Badtareen Hai'n ✺*
*1_ Nojawan Ka Gunaah Karna Bura hai Lekin Budhe Ka Gunaah Karna Badtareen hai ,*
*2_ Jaahil Ka Duniya me mashgool Hona Bura hai Aalim Ka Duniya me mashgool Hona Badtareen hai ,*
*3_ Allah Ta'ala ki ita'at me Susti Karna har Ek ke liye Bura hai Lekin Ulma aur Talba ke liye Bahut Bura hai ,*
*4_ Maaldaar Log Takabbur Kare'n to Bura hai Lekin Ulma aur Fuqra Kare'n to Bahut Bura hai _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 92..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-64✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Qism Ki Aankho'n Per Jahannam Ki Aag Haraam hai ✺*
*1_ Wo Aa'nkh Jo Allah Ki Razamandi Ke Liye Raato Ko Bedaar rahe ,*
*2_ Wo Aa'nkh Jo Haraam Cheezo Per Nazar Daalne se band rahe ,*
*3_ Wo Aa'nkh Jo Apne Gunaaho Per Khofe Khuda se roti hai ,*
*★_ Hadees Paak me hai k Jo Shakhs Apne Parwardigaar Ke Shoq me royega Uska Muqaam Jannat hai , Jo Shakhs Apne Gunaaho ko Yaad Kar Ke Khofe Khuda se Aa'nsu bahayega Allah Ta'ala us per Dozakh ki Aag Haraam Kar dega _",*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 99..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-65✷*
✯—————————————✯
*✺ Khamoshi me 8 Khoobiya'n Hai'n ✺*
*★_ Baaz Hikma Ka Qaul hai k Khamoshi me aath Khoobiya'n Hai'n Jinme se har Ek khoobi Hazaar nekiyo'n ke barabar hai :-*
*1_ Khamoshi esi ibaadat hai Jisme Jism Ko koi Takleef nahi ,*
*2_ Khamoshi Ek Aara'ish hai Jisme Koi Takleef nahi,*
*3_ Khamoshi insaan Ke Tamaam Aybo Ka Parda hai ,*
*4_ Khamoshi Ek Qila hai Jisme Kisi nigehbaan Ki zarurat nahi ,*
*5_ Khamoshi ki vajah se Kiraman Kaatibeen Araam me rehte Hai'n,*
*6_ Khamoshi Ek qism ki Haibat ( Roab ) hai Jo bager daleel ke Zaahir Hoti Hai,*
*7_ Khamoshi Jaahil ke liye Raazdaar aur Aalim ke liye Zeenat hai,*
*8_ Khamoshi Ek esi be niyazai hai Jisme Kisi Uzr ki zarurat nahi _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 97..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-66✷*
✯—————————————✯
*✺ 12 Anmol Nasihate ✺*
*★_ Abu Jaafar Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu se naqal Karte Hai'n :-*
*1_ Sabse zyada Sachcha Kalaam Allah Ta'ala Ka Kalaam hai ,*
*2_ Sab Baato me Ashraf v Aala Allah Ta'ala ka Zikr hai ,*
*3_ Bahut bada Andhapan Dil Ka Andha Hona hai _,*
*4_ Thoda sa Rizq Jo k zaruriyaat ke liye Kaafi ho , Us zyada Daulat se Behtar Hai Jo insaan Ko Gaafil aur be khabar Bana de ,*
*5_ Bahut badi Nadamat ye Hai k Qayamat ke Din insaan Ke paas Hasrat Ke Siva Kuchh na ho ,*
*6_ A'ala darjr Ka Gani Wo hai Jo Dil Ka Gani hai ,*
*7_ Duniya se Saath le Jane ke liye Sabse badh Kar Tosha Taqwa aur Parhezgaari hai,*
*8_ Tamaam Gunaaho Ka Majmu'a Sharaab hai ,*
*9_ Aurte'n Shaitaan Ka Jaal hai'n ,*
*10_ Jawani Junoon Ki ek Shaakh hai ,*
*11_ Nihayat bad tareen Kamayi Sood Ki Kamayi hai ,*
*12_ Bahut bada Gunaah Jhoot bolna hai _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 96..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-67✷*
✯—————————————✯
*✺ 6Baato per Jannat Ka Ticket ✺*
*★_ Hazrat ibne Saamit Raziyllahu Anhu se rivayat hai k Huzoor ﷺ ne farmaya :- Ey logo ! Tum Apni Zaat ke liye mere Saamne 6 Baato ki zimmedari le lo to Mai'n Tumhare liye Jannat Ka zimma leta Hu'n :-*
*1_ Jab Vaada Karo to Poora Karo ,*
*2_Jab Baat Karo to Sach bolo ,*
*3_ Apni Sharmgaaho ko Haraam Se mehfooz rakho ,*
*4_ Apni nigaaho ko buri Nazar se band rakho ,*
*5_ Apne Haath Paa'nv ko qaabu me rakho _,*
*6_ Agar Koi Tumhare Paas Amaanat rakhe to imandaari se lota'o _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-96 Ba Hawala Tazkiratul Wa'izeen 301 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-68✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 A'amaal Mushkil Tareen Magar Us Per Ajr be inteha ✺*
*★_ 1_ Gusse Ke Waqt Maaf Karna _,*
*2_ Tangdasti me Sakhawat Karna_,*
*3_ Khilwat me Paak daamani Akhtyar Karna_,*
*4_ Ese Shakhs Ke Saamne Kalma E Haq kehna Jisse Khof ho Ya Ummeed _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 95..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-69✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Aadmiyo'n Se Door Bhaago ✺*
*★_ Hazrat imaam Jaafar Saadiq Reh. farmate hai'n :- Paanch Aadmiyo'n Se Door Bhaago _,*
*1_ Jhoote se, k na Jane kab dhoka de Jaye ,*
*2_ Ahmak se, K Tumhare Faayde ko nuqsaan se badal Sakta Hai ,*
*3_ Bakheel se k Ain Waqt per daga deta hai ,*
*4_ Buzdil se bacho , k Buzdil bhala Kisi Ka Kya Saath dega ?*
*5_ Faasiq se, k dost ko ek luqma ki Evaj me bech daalata hai _,"*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 95..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-70✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheezo Ki Qadar v Qeemat ✺*
*★_ Chaar Cheezo Ki Qadar Chaar Qism Ke Log Pehchan Sakte Hai'n :-*
*1_ Jawani Ki Qadar Budhe Jaante Hai'n Jinhe ab Jawani Milne Ki Ummeed nahi ,*
*2_ Aafiyat Ki Qadar Unki Maloom hai Jo Musibat me Giraftaar hai'n ,*
*3_ Tandurasti Ki Qadar Bimmaro Ko Hoti Hai ,*
*4_ Zindgi Ki Qadar Ka Haal Murdo'n se daryaft Karo ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 104..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-71✷*
✯—————————————✯
*✺ Jahannam Se Door Le Jani Wali 6 Aadate ✺*
*1_ Allah Ko Pehchan Kar uski ibaadat Ki ,*
*2_ Shaitaan Ko Pehchan Kar Uski Mukhalfat Ki ,*
*3_ Haq Ko Pehchan Kar Uske Pichhe Chala ,*
*4_ Baatil Ko Pehchan Kar Usse Bachta Raha ,*
*5_ Duniya Ko Pehchan Kar Use Tark Kar diya,*
*6_ Aakhirat Ko Pehchan Kar Uska Talabgaar raha ,*
*★_ Hazrat Hasan Raziyllahu Anhu Ka Qaul hai k Allah Ta'ala ne un logo per Raham farmaya Jinke Paas Duniya Amaanat ke tor per aayi aur Unhone use Khayanat Ke bager Lota diya aur Allah Ki Baargaah me Bahut Tezi se Rawana huye _*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 103.Mukashfatul Quloob -229.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-72✷*
✯—————————————✯
*✺ Rozi me Khayro Barkat Wali 5 Cheeze ✺*
*★_Jo Shakhs 5 Cheezo Ka Hamesha Paaband rahega to us Shakhs Ke Nek A'amaal me Pahaado Ki maanind izafa Kiya Jayega aur Khudawand Quddus uski Rozi me Barkat aur Wus'at Paida Karte Hai'n :-*
*1_ Pehla Wo Shakhs Jo Sadqa Ada Karne ki Paabandi karta Hai , Chahe Kam Sadqa ho Ya Zyada _,*
*2_ Doosre Wo Shakhs Jo Logo Ke Saath Husne Sulook aur Silah Rehmi karta ho _,*
*3_ Teesre Wo Shakhs Jo Raahe Khuda me Chalne Kai Paabandi karta Ho _,*
*4_ Chotha Wo Shakhs Jo Hamesha Ba Wazu rehta hai aur Pani ke istemal me Fizool kharch nahi karta _,*
*5_ Paanchva Wo Shakhs Jo Maa'n Baap ki farma bardaari karta Hai _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-103 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-73✷*
✯—————————————✯
*✺ Qayamat Ke Din Arshe ilaahi Ke Niche Rehne Wale 3 Khush Naseeb ✺*
*★_ Hazrat Anas bin Maalik Raziyllahu Anhu farmate hai'n k Teen ( Khush Naseeb ) Shakhs Qayamat Ke Din Arshe ilaahi ke Saaye me honge :-*
*1_ Sabse Pehle Silah Rehmi Karne Wala Shakhs k Uski Zindgi me Khayro Barkat Hoti Hai aur Uski Rozi me izafa hota hai aur Uski Qabr me Wus'at Paida Kar di Jati Hai _,*
*2_ Doosre Wo Khatoon Jiska Shohar Yateem Bachcho ko Chhod Kar Faut ho gaya ho aur Ye Khatoon unki dekh bhaal aur nigrani Karti ho Yaha'n tak k Khudawand Quddus ne un Yateemo Ki Parwarish Kar di ho _,*
*3_ Teesre Wo Shakhs k Jisne Khana banaya aur usne Gareeb Gurba aur Masakeen ki Dawat ki _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 102 Ba Hawala Tanbihul Gafileen-224..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-74✷*
✯—————————————✯
*✺ Qayamat Ke Din Nijaat aur Rihayi Ki 9 Soorte'n ✺*
*1_ Apni Zubaan Ko mehfooz rakho ,*
*2_ Duniya Ke A'amaal Ki Aakhirat Ke Amal me dakhil na Karo ,*
*3_ Un Per Apne Aapko Fazilat aur bartari na do ,*
*4_ Apni Majlis me Magroor v Mutakabbir ban Kar mat betho taki log Tumhari bad khalqi ki vajah se Tumse door Ho'n ,*
*5_ Apne Bhaiyo'n ki Geebat na Karo Jo Musalman Hai'n aur Qur'an padhne wale Hai'n,*
*6_ Apne Musalman Bhaiyo'n Ki Gunahgaar samajh Kar Apni Paak Daamani Ka Saboot na do ,*
*7_ Ek Shakhs ke Saamne doosre Shakhs se Sargoshi na Karo ,*
*8_ Apne Aapko logo se bada na Jano,*
*9_ Do Aadmiyo'n me Foot na daalo ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 101..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-75✷*
✯—————————————✯
*✺ Imaan Ko banane Wale 3 Kaam ✺*
*★_ Hazrat Ammaar bin Yaasir Farmate hai'n k Jis Kisi ne Apne Andar Teen Baate Paida ki Usne Apne Andar Mukammal imaan banaya , Wo Teen baate ye hai'n :-*
*1_ Nadaari aur Tangi ke bavjood Raahe Khuda me Kharch Karna ,*
*2_ Apni Zaat aur Nafs ke Saath insaaf se Kaam Lena ,*
*3_ Makhlooqe Khuda me Salam Ko Aam Karna aur Salam Ko Rivaaz dena _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 104..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-76✷*
✯—————————————✯
*✺ Teen Pasandida Baate ✺*
*★_ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. Farmate hai'n k Khudawand Ta'ala ko Teen Baate Sabse zyada Pasand Hai'n :-*
*1_ Taaqat Ke Bavjood doosre Ko Maaf Kar dena ,*
*2_ Gusse me bhi aitdaal per qaaim rehna ,*
*3_ Makhlooq Ke Saath Reham Dili Ka maamla Karna aur jo Shakhs Khudawand Ta'ala ki Makhlooq per Shafqat v Meharbani karta Hai, Khudawand Ta'ala Uske Saath Shafqat Ka maamla farmate hai'n _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 104, Tambeehul Gafileen..*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-77✷*
✯—————————————✯
*✺ Hazrat Aadam Alaihissalam ki Apne Bete Ko 5 Nasihate ✺*
*★_ Hazrat Aadam Alaihissalam ne Apne Bete Shees Alaihissalam Ko 5 Baato ki Wasiyat ki aur farmaya Apni Aulaad Ko bhi Yahi Wasiyat Karna _,*
*1_ Aarzi Duniya per Mutma'in na Hona Mai'n Jaadawani Jannat me mutma'in tha , Allah Ta'ala ne mujhe waha'n se nikaal diya ,*
*2_ Aurto'n ki Khwahishaat per Kaam na Karna , Maine Apni Bivi ki khwahish Per Shajar mamnu'a kha liya aur Sharmindgi uthayi ,*
*3_ Har Ek Kaam Karne se Pehle Uska Anjaam Soch lo, Agar Mai'n Anjaam Soch Lata to Jannat Se na nikaala jata ,*
*4_ Jis Kaam me Tumhara Dil mutma'in na ho us Kaam ko na Karo , Kyunki Jab Mai'ne Shajar mamnu'a khaya to Mera Dil mutma'in nahi tha Magar Mai'n Uske khane se baaz na raha ,*
*5_ Kaam Karne se Pehle Mashwara Kar liya Karo , Kyu'nki Agar Mai'n Farishto se Mashwara Kar leta to mujhe ye Takleef na uthani padti _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-105 , Mukashfatul Quloob-91..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-78✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Baato me Dil Ka ilaaj hai ✺*
*★_ Farmate hai'n k Paanch Cheeze Qalb ( Dil ) ki dava Hai'n :-*
*1_ Tilawate Qur'an Paak ,*
*2_ Pet ko Maale Haraam se Khaali rakhna ,*
*3_ Raat me Khudawand Ta'ala ki ibaadat karna ,*
*4_ Subeh ke Waqt Khofe Khudawandi se Rona , Duae'n maangna ,*
*5_ Nek Logo ki Sohbat Akhtyar Karna aur buri Sohbat se Bachna _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-105 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-79✷*
✯—————————————✯
*✺ Teen Khoobiyo Per Hamesha Jame Raho ✺*
*★_ Hazrat Muhammad bin Ka'ab Qurzi Reh. Farmate hai'n k Teen Khaslate is qism ki hai'n Jinme se Koi Ek bhi Kisi Haalat me Nahi chhodni Chahiye :-*
*1_ Kisi per hargiz Hargiz Zyadti na Karna , isliye k irshade Baari Ta'ala Hai , "_ Ye Tumhari Sarkashi Tumhare Waaste Vabaal hone Wali hai _,*
*2_ Kisi Shakhs Ke khilaf Sazish na Karo , irshade Baari Ta'ala Hai , _", Aur buri Tadbeero ka Vabaal un Tadbeer Karne walo per hi padta hai ,*
*3_ Kabhi bhi Ahad ki khilaf varzi na karo aur na Kabhi Mu'ahida Todo , isliye k irshade Baari Ta'ala Hai, _"_ Fir Jo Shakhs Ahad Todega Uske Ahad todne ka Vabaal usi per padega _,"*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-107 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-80✷*
✯—————————————✯
*✺ Duniya me Sirf 3 Din Hai'n ✺*
*★_ Iysaa Alaihissalam Ka Qaul hai , Duniya teen din hai :-*
*1_ Ek guzishta din Jisme se Koi cheez Tere Haath me Nahi hai _,*
*2_ Ek Aa'inda Din Jiske baare me Tu nahi Jaanta k Tu uski Pa lega k Nahi ,*
*3_ Ek Aaj Ka Din Jisme Tum mojood ho Usko Ganimat Jano _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 110.*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-81✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Sifaat Per 5 Ni'amato Ka Nujool ✺*
*★_ Allah Ta'ala Jisko Paanch Sifaat ata Karta hai , To usko Saath hi Paanch Ni'amate bhi ata karta Hai :-*
*1_ Jisko Allah Ta'ala Shukr ki Tofeeq dete Hai'n Uski Ni'amao me izaafa farma dete Hai'n ,*
*2_ Jisko Dua maangne Ki Tofeeq farmate hai'n Uske Liye Qubuliyat bhi Muqaddar farmate hai'n ,*
*3_ Jisko istagfaar ki Tofeeq Bakhshte Hai'n Uske liye Maafi Laazim Kar dete Hai'n ,*
*4_ Jisko Tauba ki Tofeeq inayat farmate hai'n Usko Sharfe Qubuliyat bhi dete Hai'n ,*
*5_ Jisko Sadqa ki Tofeeq dete Hai'n Uske liye Qubuliyat Ka Samaan Kar dete Hai'n ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-111 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-82✷*
✯—————————————✯
*✺ Musibat Ke Waqt 4 Ni'amate ✺*
*★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu farmate hai'n k Allah Ki qasam Jab bhi Mai'n Kisi Musibat me mubtila hota tha to Allah Ta'ala Ki mujh per 4 Ni'amate utarti thi :-*
*1_ Wo mujhko Gunaah se baaz rakhti thi ,*
*2_ Uski vajah se Mai'n Sawab ki Ummeed rakhta tha ,*
*3_ Wo mujhko Allah Ta'ala ki Raza se Mehroom nahi rakhti thi,*
*4_ Uski Vajah se Mujhko Sabse badi Musibat Maloom ho Jati ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 112..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-83✷*
✯—————————————✯
*✺ 2 Mubarak Qadam ✺*
*★_ Hazrat Hasan Basri Rehmatullah se naqal hai k Huzoor ﷺ ne irshad farmaya k Khudawand Quddus ko Bande ke 2 qadam se zyada koi qadam Pasand nahi :-*
*1_ Ek to Wo Qadam Jo k Namaz ke Farz ke Ada Karne Ke Waaste chalta hai ,*
*2_ Doosra Qadam Wo Jo k Kisi Azeez v Aqarib se mulaqaat ke liye insaan uthata hai _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 113 Tanbihul Gafileen 224 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-84✷*
✯—————————————✯
*✺ Abdaalo Ki 7 Hikmat bhari Baate ✺*
*1_ Jo Shakhs Baatooni ho Uska Dil Bedaar ( Hoshiyar , Aqalmand) nahi ho Sakta _,*
*2_ Jo Petu ho Wo Sahibe Hikmat Nahi ho Sakta_,*
*3_ Jaahil Ka Dil zinda nahi hota _,*
*4_ Duniya se Muhabbat rakhne Wala Husne Khaatma Wala nahi ho Sakta_,*
*5_ Logo ko Kasrat Se Milne wala ibaadat ki Halawat se Mehroom Hota Hai _,*
*6_ Logo ki Raza Ka Taalib Allah ki Raza Ke Husool se Mehroom Hota Hai _,*
*7_ Zaalim se Sohbat rakhne Wala Deen per Sidha Chalne wala nahi ho Sakta _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 115,* ★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-85✷*
✯—————————————✯
*✺ Bhalayi me Shumaar Hone Wali 6 Aadate ✺*
*1_ Allah Ta'ala ke Raaste me Jaddo Juhad Karna _,*
*2_ Jis Roz baadal chhaye hue ho ya Farmaya k Garmi wale Roz namaz padhne ke liye Masjid me Jaldi Jana _,*
*3_ Haq per hone ke bavjood Kisi se Jhagda na Karna _,*
*4_ Garmiyo'n me Roza rakhna _,*
*5_ Musibat Per Sabre Jameel se Kaam Lena _,*
*6_ Mausam Sarma me Behatreen tareeqe se Yani Sunan v Mustahbaate wazu ki ri'ayat Kar Ke wazu Karna _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 116..,*
┗─────────────🕯
*✷PART-86✷*
✯—————————————✯
*✺ Hazrat Luqman Reh. ki 9 Nasihate ✺*
*★_ Hazrat Luqman Reh.ne Apne bete se farmaya k 9 Cheezo per Pabandi se Amal Karo: _*
*1_ Apne Murda Dil ko Yaade Khuda se zinda rakho ,*
*2_ Miskeeno Ke Paas Utha betha Karo ,*
*3_ Khandane Nabuwat ka Ahatraam Karo ,*
*4_ Be Sahara logo Ka Sahara bano ,*
*5_ Gulamo Ko Khareed Kar Azaad Karo ,*
*6_ Ajnabi Logo ko thikana do ,*
*7_ Garibo ki madad Karo Taki Wo Kisi Se maangne ke mohtaaj na rahe ,*
*8_ Ahle Sharafat ki Tazeem Karo ,*
*9_ Maldaaro aur Badshaaho ki Majliso se door raho ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa- 116..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-87✷*
✯—————————————✯
*✺ Nek Bakhti ki 5 Alamate ✺*
*★_ Hazrat fuzel bin Ayaaz Reh. Farmate hai'n k Neki ki 5 Nishaniya'n Hai'n :-*
*1_Qalb ( Dil ) me Yaqeen,*
*2_ Deen me Parhezgaari,*
*3_ Duniya se be Tavajjohi,*
*4_ Nigaaho me Sharmo Haya,*
*5_ Jism me inksaari aur Aajizi,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-122 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-88✷*
✯—————————————✯
*✺ Bad Naseebi ki 5 Nishaniya'n ✺*
*★_ Hazrat fuzel bin Ayaaz Reh. Farmate hai'n k Bad Naseebi ki 5 Nishaniya'n Hai'n :-*
*1_ Dil sakht Hota Hai,*
*2_ Sharmo Haya Ki Kami ,*
*3_ Duniya se be Tavajjohi na ho,*
*4_ Nigaaho me Jamood hona k Kabhi Khuda Ke Khof se Rona na aata ho ,*
*5_ Duniya se bahut zyada Tawaqqo wabasta rakhna _,"*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-122 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-89✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheeze Dil Ko Tareek Karti haii ✺*
*★_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ne farmaya - Chaar Cheeze Dil Ko Tareek Kar deti Hai'n :-*
*1_ Halaal Haraam ki Parwaah Kiye bager Pet bharna ,*
*2_ Zaalim Logo Ki Sohbat Akhtyar Karna,*
*3_ Guzishta Gunaaho Ko Bhool Jana ,*
*4_ Lambi Ummeede baandhna _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-125 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-90✷*
✯—————————————✯
*✺ Insaan Ke 4 Dushman Kon ? ✺*
*★_ Hazrat Faqeeh Samarkandi Reh. Farmate hai'n k Tum log Achchhi Tarah se ye Baat Jaan lo k Tumhare 4 Dushman Hai'n aur Tujhe un Tamaam ke Saath Jihaad Karne Ki zarurat hai :-*
*1_ Duniya - unme se ek Dushman Duniya hai Jo k Bahut hi dhkoke Baaz aur Makkar hai ,*
*2_ Nafs - aur Tumhara Doosra Dushman Apna nafs hai Jo k Ek Badtareen Dushman hai ,*
*3_ Shaitaan - Tumhara Teesra Dushman Shaitaan hai , isse Bahut zyada bacho k ye Shaitaan Jin se bhi Zyada Khatarnaak hai , isliye k Shaitaan Jin ke waswase se hi Takleef pahunchata hai ,*
*4_ Haasid - Haasid Wo Bura Saathi hai Jo Kabhi Dost ki shakl me hota hai Kabhi Dushman ki Shakl me , Wo Hamesha Tumhare Waaste is qism ke heelo ki Talash me rehta hai Jiske zariye Tujhe Nuqsaan pahuncha sake , Ese Shakhs se Taha'if aur Husne Akhlaaq Ke zariye Jihaad Behtar Hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-130 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-91✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Qism Ke Andhere aur Unke Chiraag ✺*
*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu farmate hai'n k 5 Qism Ke Andhere hai'n aur Un Andhero ko door Karne Ke liye 5 Qism Ke Chiraag Hai'n :-*
*1_ Duniya Ki Muhabbat Andhera hai aur Uska Chiraag Parhezgari hai ,*
*2_ Gunaah Andhera hai aur Tauba Uske Liye Chiraag hai ,*
*3_ Aakhirat Andhera hai aur Amaale Saleha Uske Liye Chiraag hai ,*
*4_ Pul Siraat Andhera hai aur Sahi Yaqeen Uske Liye Chiraag hai ,*
*5_ Qabr Andhere Ka Ghar hai , Kalma Laa ilaaha illallahu Muhammadur Rasulullah Uska Chiraag hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-132 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-92✷*
✯—————————————✯
*✺ _Yaad Kar Lena ......., ✺*
*"★_ Jab Tumhe Lage K Sabr Karna Mushkil ho raha hai To Yaad Kar Lena k Allah Sabr Karne Walo Ke Saath hai_,*
*"★_ Jab Kabhi Khud Ko Na qabile Bardasht Takleef me Mehsoos Karo to Yaad Kar Lena k Allah Kisi Ko Uski Bardasht se Zyada Takleef nahi deta_,"*
*"★_ Jab Kabhi Mushkilaat Ki Vajah se Pareshani aa ghere To Yaad kar Lena k Har Mushkil Ke Saath Asaani hai_,"*
*"★_ Kabhi Khud Ko Akela Mehsoos Karo To Yaad Kar Lena k Allah Kehta hai Jaha'n Kahi'n bhi Tum ho Mai'n Tumhare Saath hu'n _,"*
*"★_ Jab Kabhi kisi Khwahish aur Chaahat ka Mukammal hona Na Mumkin Lage To Yaad Kar Lena K Allah Har Cheez Per Qaadir hai_,"*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-132 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-93✷*
✯—————————————✯
*✺ Insaan Ko 6 Cheeze Dawat deti Hai'n ✺*
*★_ Janab Khalifa e Awwal Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya :-*
*1_ Mal'oun iblees Tujhe Tarke Deen ki Dawat Deta Hai ,*
*2_ Nafs Paleed Tujhe Gunaaho ki Dawat Deta Hai,*
*3_ Hawae Nafs Tujhe Shehwat ki taraf Dawat deti hai,*
*4_ Duniya Tujhe Tarke Akhirat Ki taraf Dawat deti hai,*
*5_ A'aza e Badan Tujhe Gunaaho ki taraf Dawat dete Hai'n,*
*6_Khuda e Zuljalaal Tujhe Jannat v Magfirat ki Dawat Deta Hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-133 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-94✷*
✯—————————————✯
*✺ Jisne 6 Ka Hukm maana Wo 6 Cheezo Ko Kho bethega ✺*
*1_ Jisne iblees Ka Kaha maana Uska Deen Jata raha,*
*2_ Jisne Nafs Ka Kaha maana Uski Rooh Jati rahi ,*
*3_ Jisne Hawae Nafs Ka Kaha maana Uski Aqal Jati rahi,*
*4_ Jisne Duniya Ka Kaha maana Uski Aakhirat Jati rahi ,*
*5_ Jisne A'aza e Badan Ka Kaha maana Uski Jannat Jati rahi ,*
*6_ Jisne Allah Ta'ala Ka Kaha maana Uski Buraiya'n Jati rahi aur Tamaam Bhalaiya'n aati rahi ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-134 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-95✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 Cheezo Ko 6 Cheezo me Chhupaya gaya ✺*
*1_ Allah Ta'ala ne Khushi Ko Bandgi me Poshida rakha,*
*2_ Allah Ta'ala ne Gusse Ko Gunaaho me Poshida rakha,*
*3_ Allah Ta'ala ne isme Aazam Ko Qur'an me Poshida rakha,*
*4_ Allah Ta'ala ne Laylatul Qadr ko Maahe Ramzan me Poshida rakha,*
*5_ Allah Ta'ala ne Salatul Wusta ko baqi Namazo me Poshida rakha,*
*6_ Allah Ta'ala ne Qayamat ke Din ko baqi Dino me Poshida rakha,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-134 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-96✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheezo Ko Thoda na Samjho ✺*
*★_ Ulma Kiraam farmate hai'n k Chaar Cheezo Ko Thoda na Samjho :-*
*1_ Qarz ,*
*2_ Marz ,*
*3_ Dushmani ,*
*4_ Aag _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-134 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-97✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Cheezo Ko 5 Ki Jagah rakha hai ✺*
*★_ Marvi hai k Allah Ta'ala ne 5 Cheezo ko 5 jagaho per rakha hai :-*
*1_ Izzat Ko Allah ki Farmabardaari me ,*
*2_ Zillat ko Gunaah me ,*
*3_ Dafa e Musibat ko Raat ki Namaz me ,*
*4_ Hikmat ko Khali Pet me ,*
*5_ Maaldaari ko Kam per Raazi rehne me ,
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-135..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-98✷*
✯—————————————✯
*✺ 8 Anmol Moti ✺*
*★_ Hukma Farmate hai'n k Duniya 8 Cheezo se Qaa'im hai :-*
*1_ Khuda ki Rehmat Se,*
*2_ Rasool ki Risaalat se,*
*3_ Hukma ki Hikmat se,*
*4_ Aabido Ki ibaadat se,*
*5_ Aalimo ki Nasihat se,*
*6_ Badshaaho Ki Adalat se ,*
*7_ Bahaduro Ko Shuja'at se ,*
*8_ Kareemo Ki Sakhawat se ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-135..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-99✷*
✯—————————————✯
*✺ 10 Khaslate 10 Aadmiyo'n Se Allah Paak Ko Pasand nahi ✺*
*★_ Das Khaslate Das qism ke Aadmiyo'n Se Allah Paak Ko Pasand nahi Hai'n :-*
*1_ Bukhl Maaldaaro se ,*
*2_ Takabbur Faqeero se ,*
*3_ Tam'a Aalimo se ,*
*4_ Behayai Aurto'n se,*
*5_ Hubbe Duniya Budho se,*
*6_ Susti Jawano se,*
*7_ Zulm Badshaaho se ,*
*8_ Buzdili Gaaziyo se ,*
*9_ Khud Pasandi Zaahido se,*
*10_ Riyakaari Aabido se ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-35..*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-100✷*
✯—————————————✯
*✺ 10 Cheeze 10 Cheezo Ko Kha Jati Hai ✺*
*1_ Neki Badi ko,*
*2_Takabbur ilm ko,*
*3_ Tauba Gunaah Ko ,*
*4_ Jhoot Rizq Ko ,*
*5_ Adl Zulm Ko,*
*6_ Gam Umr Ko,*
*7_ Sadqa Bala v Musibat Ko,*
*8_ Gussa Aqal Ko ,*
*9_ Pashemani Sakhawat Ko ,*
*10_ Geebat A'amaal Ko ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-136.,*
┗─────────────🕯
*✷PART-101✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Baate Zaahir me Fazilat Hai'n Lekin Haqeeqat me Farz hai'n ✺*
*★_ Ulma farmate hai'n k Chaar Baate Jinka Zaahir Fazilat Lekin Unka Baatin Farz hai :-*
*1_ Nek logo ke Saath Mel jol Fazilat hai Lekin Unki iqtida Farz hai,*
*2_ Qur'an Paak ki tilawat Karna Fazilat hai Lekin Uske Mutabiq Amal Karna Farz hai ,*
*3_ Qabro ki ziyarat Fazilat hai Lekin Maut Ki Taiyari Farz hai ,*
*4_ Mareez ki Ayadat Fazilat hai Lekin Usse Wasiyat Lena Farz hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-137 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-102✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 Cheezo Ki Talash Ka Hukm ✺*
*★_ Jo Shakhs 6 Cheeze Talash kare Usne Jannat Ki Talash me aur Jannat Ko Haasil Karne me aur Dozakh se mehfooz rehne me Koi kasar Nahi chhodi :-*
*1_ Jis Shakhs ne ma'rfate ilaahi haasil ki aur uski Farma bardaari Akhtyar ki,*
*2_ Jis Shakhs ne Shaitaan Ko pehchan liya aur Usko Naraaz Kiya ,*
*3_ Jis Shakhs ne Sachchayi ki Pehchan haasil kar li aur Sachchayi Ko Qubool Kiya ,*
*4_ Jis Shakhs ne Baatil Ko Pehchan liya aur Usko tark Kar diya,*
*5_ Jis Shakhs ne Aakhirat ki Ma'arfat haasil kar li ,*
*6_ Jo Shakhs Talabe Akhirat me mashgool ho gaya,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-136..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-103✷*
✯—————————————✯
*✺ Door Se Jannat Ki Mehak Pane wale 4 Khush Naseeb Log ✺*
*★_ Farmaya k Chaar qism Ke Logo ko Jannat Ki khushbu Paanch So baras Ki raah se aayegi :-*
*1_ Wo Shakhs Jiske Baal Bachche Zyada Ho'n aur Raat Din Mehnat v Mashakkat Kar Ke Unke Liye Kasbe Halaal se Roti kamaye ,*
*2_ Wo Aurat Jo shohar Ko Haq Mehar Maaf Kar de ,*
*3_ Wo Shakhs Jo Gunaah Ke baad Sachche Dil se Tauba Kar le aur Tauba ki Haalat me Faut ho Jaye ,*
*4_ Wo Shakhs Jo Apne Maa'n Baap Ka Farmabardaar ho aur Khidmat Guzaar ho _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-122 Ba Hawala- Tazkiratul Wa'izeen..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-104✷*
✯—————————————✯ *✺ 4 Buri Khaslate ✺*
*★_ Baaz Ulma ka qaul hai k Jis Shakhs me 4 Khaslate hongi wo har qism ki Khayr v Neki se Mehroom rahega :-*
*1_ Apne se Kamzor per zulm Karna ,*
*2_ Maa'n Baap ki Nafarmani Karna ,*
*3_ Gareeb Aadmi ko uski Tangdasti ki vajah se haqeer Jaanna ,*
*4_ Maaldaar ki izzat Sirf Uske Maal v Daulat ki vajah se Karna ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-139 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-105✷*
✯—————————————✯ *✺ 5 Moqo Per Jaldbazi Sunnat Hai ✺*
*★_ Hazrat Haatim Al Asm Reh. farmate Hai'n k Jaldbazi Shaitaan Ka kaam hai Magar 5 Moqo per Jaldbazi Huzoor ﷺ Ki Sunnat Hai :-*
*1_ Jab Mehmaan aa Jaye to Uska Foran ikraam Kiya Jaye ,*
*2_ Jab Ladki Baalig ho Jaye to Foran Nikah Kiya Jaye,*
*3_ Jab Kabhi Gunaah ho Jaye to Foran Tauba ki Jaye,*
*4_ Qarz ki Adaaygi Ka jab Waqt aa Jaye to Foran Ada Kiya Jaye ,*
*5_ Jab Koi Faut ho Jaye to Foran Usko nehla Kar Kafan Dafan Ka intezam kiya jaye ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-140..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-106✷*
✯—————————————✯
*✺ Halaaq Kar dene Wali 3 Cheeze ✺*
*★_ 1_ Hirs v Tam'a me gum rehna ,*
*2_ Nafsaani Khwahishaat Ki Pervi Karna ,*
*3_ Bande Ka Apne Aap per Fakhr Karna ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-141 ..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-107✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 Cheezo Ke Badle Jannat Ki Zamanat ✺*
*1_ Jis Waqt Guftgu Karo to Sachchi Guftgu Karo ,*
*2_ Jis Waqt Kisi Se vaada karo to Poora Karo ,*
*3_ Nigaaho Ko nichi rakho ,*
*4_ Apni Sharmgaah Ki Poori Tarah Hifazat Karo,*
*5_ Jab Koi Shakhs Tumhare Paas Koi Cheez Amaanat rakhe to Uski Amaanat Ada Karo ,*
*6_ Apne Haatho ko Zyadti Karne se baaz rakho ,Yani Kisi Shakhs per Zyadti na Karo ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-143..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-108✷*
✯—————————————✯
*✺ Dua Qubool na hone Ki 10 Vujuhaat ✺*
*★_ Hazrat Ibrahim bin Ad'ham Reh. se logo se daryaft Kiya k Ey Hazrat Khuda ka Farmaan hai k Tum mujhe pukaaro Mai'n Tumhari Pukaar Zaroor qubool karunga , Lekin Hum Pukarte Hai'n aur Hamari Pukaar qubool nahi Hoti , iski kya vajah hai ? Aapne Jawab me farmaya - Tum logo ke Dil 10 Cheezo Ke Sabab Murda ho gaye Hai'n :-*
*1_ Tumne Allah Ko pehchana aur Fir Uska Haq ada karna Bhool gaye,*
*2_ Tumne Qur'an ko padh liya aur us per Amal Karna Bhool gaye ,*
*3_ Tumne Daava Kiya Shaitaan Ki Dushmani Ka aur fir usse Dushmani Karna Bhool gaye,*
*4_ Tumne Daava Kiya Muhabbate Rasool ﷺ Ka aur fir Sunnat per Amal Karna Bhool gaye,*
*5_ Tumne Daava Kiya Hubbe Jannat Ka aur Fir Uske Liye Amal Karna Bhool gaye,*
*6_ Tumne Daava Kiya Khofe Dozakh Ka aur fir Gunaaho se Parhez Karna Bhool gaye,*
*7_ Tumne Daava Kiya k Marna Haq hai aur Fir Maut Ki Taiyari Karna Bhool gaye,*
*8_ Tumne Gairo ke Ayb Talash kiye aur Apne Aybo ko Bhool gaye,*
*9_ Tumne Allah Paak Ka Rizq khaya aur Uska Shukr Ada Karna Bhool gaye,*
*10_ Tumne Apne Mardo ko Dafan Kiya aur Unse ibrat Lena Bhool gaye,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.145.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-109✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheeze imaan Ki Alamato me se hai ✺*
*1- Dushwariyo ke bavjood Bhar poor Taharat haasil Karna ,*
*2- Fara'iz ke Waqt Dil Ka Kaa'npna HattaKi Farz ko Ada Kar de ,*
*3_ Har Gunaah Ke Waqt Tauba Kar Lena Taki Gunaaho per Misr na ho _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-..145,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-110✷*
✯—————————————✯
*✺ Qur'an Ki Malumaat -1 ✺*
*★_ Qur'an me 7 manzile , 30 Paare aur 114 Soorte'n Hai'n , unme se 92 Makki aur 22 Madni Hai'n, 556 Ruku aur 6666 Ayaat Hai'n_,*
*★_ 25 Paigambaro ke isme girami Qur'an Majeed me Aaye Hai'n, Sabse zyada Hazrat Moosa Alaihissalam ka Naam hai , Muhammad 4 martaba , 11 Martaba Aap ﷺ ko Ey Nabi aur 23 Jagah Aap ﷺ ko faqat Nabi keh kar mukhatib Kiya gaya hai, 2 martaba Muhammad Rasulullah ke Alfaz Aaye Hai'n ,*
*★_ Baqi Agli post me in sha Allah_,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-146..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-111✷*
✯—————————————✯
*✺ Qur'an Ki Malumaat _2 ✺*
*★_ Qur'an Ki 7 Manzile Ye Hai'n :-*
*1_ manzil-surah Fatiha(1) to surah Nisa(4).*
*2_ manzil-surah Maa'ida(5) to surah Tauba(9).*
*3_ manzil-surah Yunus(10) to surah Nahl(16).*
*4_ manzil-surah Isra(17) se surah furqan(25).*
*5_ Manzil - Surah Sua'raa ( 26) to Surah Yaseen (36) ,*
*6_ manzil-surah Saffat (37) to surah Hujjurat(49).*
*7_ manzil-surah Qaaf (50) to surah Naas (114).*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.146.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-112✷*
✯—————————————✯
*✺ Qur'an Ki Malumaat -3 ✺*
*★_ Huqooqullah ke mutalliq 193 Ayaat Hai'n aur Huququl ibaad ke mutalliq 673 Ayaat Hai'n,*
*★_ 90 se zyada martaba Musalman ko Namaz Ka Hukm diya gaya hai , 150 se zyada martaba Allah ki Raah me Kharch Karne Ka Hukm hai ,*
*★_ 70 se Zyada martaba Dua maangne ko Kaha gaya hai, ilm se mutalliq Alfaz 140 Ayaat me Aaye Hai'n, 750 Ayaat Ka Talluq Science ke mazameen se hai '*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.146.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-113✷*
✯—————————————✯
*✺ Aqalmand Ki 3 Nishaniya'n ✺*
*★_ Hazrat Yahya bin Mu'az Ka Qaul hai k Kamyaab Aqalmand wo Shakhs Hai Jo Teen Kaam Anjaam de :-*
*1_ Avval ye k isse Pehle k Duniya usse bezaar ho Jaye , Ye Shakhs khud hi Duniya tark Kar de ,*
*2_ Doosre Qabr me Jane se Pehle Qabr me pesh Aane wali Zindgi ki taiyari me mashgool ho Jaye ,*
*3_ Teesre ye k Apne Parwardigaar se mulaqaat se Pehle usko Razamand Kar le _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-146..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-114✷*
✯—————————————✯
*✺ _ Gor v Fikr Ki 5 Aqsaam _✺,*
*★_ Ulma Kiraam farmate hai'n k Goro Fikr 5 Qism Ka Hota Hai:-*
*1_ Allah Ta'ala ki nishaniyo me Goro Fikr , isse Allah Ta'ala ki Wehdaniyat aur Yaqeen Sahi paida hota hai,*
*2_ Allah Ta'ala ki Ni'amato me Goro Fikr, isse Allah Ta'ala se Muhabbat paida Hoti Hai,*
*3_ Allah Ta'ala ke Vaado me Goro Fikr, isse Allah Ta'ala ki taraf ragbat paida Hoti Hai,*
*4_ Allah Ta'ala ki Waieydo me Goro Fikr, isse Allah Ta'ala Ka Khof paida hota hai,*
*5_ Apni ita'ate Khudawandi ki Kami me Goro Fikr, isse Allah Ta'ala se Haya paida Hoti Hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-147..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-115✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Na Pasandida Cheeze ✺*
*★_ Hazrat Buraida Raziyllahu Anhu Apne Waalid se Huzoor ﷺ Ka ye Farman naqal Karte Hai'n k Chaar Ashya sakht Na Pasandida Hai'n, Jiski Tafseel ye Hai :-*
*1_ Namaz Se Faragat se Pehle hi Apni Peshani saaf Karna ,*
*2_ Azaan Sunne ke baad Mo'azzin ki Azaan Ka Jawab na dena,*
*3_ Jis Waqt Mera Naam liya Jaye , to mujh per darood Shareef na bheje ,*
*4_ Koi Shakhs bila zarurat Shara'i khade khade Peshab kare ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-147 Tambihul Gafileen..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-116✷*
✯—————————————✯
*✺ 14 Anmol Nasihate ✺*
*★_ Hazrat Wahab bin Munabbah Reh. ne 14 Nasihate farmayi Jo ye Hai'n :-*
*1_ Jo Shakhs Chahta hai k Wo Takhte Rehman ke Saaye Tale ho , Wo Zuhad Akhtyar kare ,*
*2_ Jo Shakhs Chahta hai k Wo Faqeeh aur Aalim ho , Wo Khushu zyada Akhtyar kare ,*
*3_ Jo Shakhs Chahta hai k Farishte uski ziyarat Kare'n , Wo Apne Aapko Parhezgar bannaye ,*
*4_ Jo Shakhs Chahta hai k Uska Ghar Jannat ke darmiyaan ho Wo Raat Din Zikrullah me mashgool rahe ,*
*5_ Jo Shakhs Chahta hai k Wo Bager Hisaab ke Jannat me dakhil ho, Wo khaalis Tauba kare ,*
*6_ Jo Shakhs Chahta hai k Wo Daulat mand ho Jaye , Wo Allah ki Taqseem per Raazi ho Jaye ,*
*7_ Jo Shakhs Chahta hai k Uske Hisaab me Kami ho , Wo Apne Nafs aur Bhaiyo'n ko Nasihat kare,*
*8_ Jo Shakhs Chahta hai k Ahle Hikmat ho Jaye Wo Jahane Dil Ka Aalim ho Jaye ,*
*9_ Jo Shakhs Chahta hai k Wo log wo Logo me Salaamti se rahe , Wo Duniya me Sirf Yahi Yaad kare k Mai'n kis Waaste paida hua Hu'n aur Kis cheez se banaya gaya Hu'n,*
*10_ Jo Shakhs Chahta hai k Firdaus aur uski Hamesha rehne wali Ni'amate haasil kare Wo Apni Zindgi Duniya ke Fasaado me zaaya na kare ,*
*11_ Jo Shakhs Chahta hai k Duniya v Aakhirat Dono me Jannat usko Naseeb ho Jaye Wo Sakhawat karta rahe , Kyunki Sakhi Jannat ke qareeb aur Aag se Ba'iyd hota Hai ,*
*12_ Jo Shakhs Chahta hai k Uska Dil Mukammal Roshan aur Munavvar ho Jaye Wo Hamesha Fikr aur ibrat haasil karta rahe ,*
*13_ Jo Shakhs Chahta hai k Duniya v Aakhirat Dono me Sharf Haasil ho Wo Aakhirat Ko Duniya per Tarjeeh de ,*
*14_ Jo Shakhs Chahta hai k Uska Badan Saabir aur Zubaan Zaakir aur Dil Khaase ( Aajizi Karne wala ) ho Wo Zikrullah ke Saath Muslimeen aur Muslimaat , Momineen aur Mominaat ke liye istagfaar aur Bakhshish ki Dua maangta rahe ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.153.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-117✷*
✯—————————————✯
*✺ Ilm Ka Nafa 3 Cheezo Per Amal Karne me Hai ✺*
*★_ Bani israiyl me Ek Shakhs ne ilm ke Yani Kitaabo me 80 sandooq Jama kiye Lekin Kabhi bhi usko unse istefada Ka moqa na Mila , Allah Ta'ala ne us zamane ke Nabi ki taraf wahi bheji k Us ilm Jama Karne wale Se keh do k Agar Tu isse bhi Zyada ilm Jama kar le to Tujhe us Waqt tak nafa na dega Jab tak Teen Cheezo per Amal na Kar le :-*
*1_ Tu Duniya se Muhabbat na Kar isliye k Ye Momineen Ki Qayaam gaah nahi hai ,*
*2_ Tu Shaitaan Ka Saathi na ban Kyunki Wo Momineen Ka Dost nahi hai ,*
*3_ Tu Kisi Ko Takleef mat de Kyunki ye Momineen Ka Tareeqa v Aadat Nahi hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-154..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-118✷*
✯—————————————✯
*✺ Padosi Ke Padosi Per 9 Huqooq ✺*
*★_ Hazrat Hasan Basri Reh. Se Rivayat Hai k Huzoor ﷺ se Puchha gaya k Padosi Ka Kya Haq hai ? Aapne irshad farmaya :-*
*1_ Jab Wo Tumse Qarz maange to use Qarz do ,*
*2_ Jab wo tumhe Dawat de to Uski Dawat qubool Karo ,*
*3_ Agar Wo Bimaar ho Jaye to Uski Ayadat Karo ,*
*4_ Wo Tumse madad maange to Uski madad Karo ,*
*5_ Wo mar Jaye to Uske Janaze me Shareek ho ,*
*6_ Use Koi Ni'amat mile to Mubarak Baad do ,*
*7_ Wo Kisi Musibat me pad Jaye to Uske Saath izhare hamdardi Karo ,*
*8_ Agar Ghar se gaayab ho to Uske Ghar aur Ahlo Ayaal ki Hifazat Karo ,*
*9_ Tumhari Haa'ndi ki mahak use Takleef na de aur Agar ye Mumkin na ho to Uske se use bhi Hadiya bhejo _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-154. Attargeeb v Attarheeb.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-119✷*
✯—————————————✯
*✺ Jannat Ke Darwaze Per 3 Satare Hai'n ✺*
*★_ Hazrat Zahaak Reh. Ki Hazrat Nazaal bin Sabrah Raziyllahu Anhu se rivayat hai k Jannat ke Darwaze per 3 Satare likhi hui Hai'n :-*
*1_ Pehli Satar ye Hai :- Laa ilaaha illallahu Muhammadur Rasulullah _,*
*2_ Doosri Satar ye Hai - ( Tarjuma ) Log Gunahgaar Hai'n aur Parwardigaar Magfirat Karne wala Hai ,*
*3_ Teesri Satar ye Hai :- Jisne Nek A'amaal Aage bheje Wo Nafe me raha aur Jis Shakhs ne Maal vagera Pichhe Chhod Diya Wo Khasare aur Ghaate me raha,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.155.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-120✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Cheeze Rokne Walo Se 5 Cheeze Rok li Jati Hai'n ✺*
*★_ Jo Shakhs Paanch Cheeze rokta hai Khudawand Ta'ala usse Paanch Cheeze Rok Lete Hai'n , Wo Cheeze Ye Hai'n :-*
*1_ Jo Zakaat rok leta hai Khudawand Ta'ala us Shakhs Ke Maal ki Hifazat rok Lete Hai'n,, Yani Uske Maal ki Hifazat utha li Jati Hai,*
*2_ Jo Shakhs Namaz me Susti karta Hai to Khudawand Ta'ala Maut Ke Waqt usko Kalma Laa ilaaha illallah ki Tofeeq nahi farmate ,*
*3_ Jo Shakhs Sadqa nahi Deta Khudawand Ta'ala us Shakhs se Aafiyat utha Lete Hai'n,*
*4_ Jo Shakhs Ushr Ada nahi karta Khudawand Ta'ala uski Zameen ki khayo Barkat utha Lete Hai'n,*
*5_ Jo Shakhs Dua Rok leta hai Khudawand Ta'ala uski Qubuliyat rok Lete Hai'n,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-155. Tambihul Gafileen .,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-121✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheeze Har Gunaah ki Jad hai'n ✺*
*★_ Hazrat ibne Masoud Raziyllahu Anhu ne Huzoor Nabi Kareem ﷺ se rivayat ki hai k Teen Cheeze Har Gunaah ki Jad Hai'n, Unse Daro aur Unse Bacho :-*
*1_ Takabbur se bacho Kyunki Takabbur hi ne iblees ko Uksaya tha k Aadam Ko Sajda na kar ,*
*2_ Hirs se bacho Kyunki Aadam Alaihissalam ko Hirs hi ne Darakht ka Phal khane per majboor Kiya ,*
*3_ Hasad se bacho Kyunki Aadam Alaihissalam Ke Do beto me se ek bete ki Hasad hi ne ubhara tha k Apne Bhai Ko qatl Karo ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-156, Kanzul Ummal-773..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-122✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheezo Ke Dhoke me na Aa'o ✺*
*★_ Hazrat Sayyadna Haatim Aasim Reh. ne farmaya :-*
*1_ Kisi Achchhi Jagah ke Dhoke me na Aa'o Kyunki Jannat Se Behtar koi Jagah nahi fir bhi Sayyadna Aadam Alaihissalam Ke Saath Jo Kuchh hua usi Jagah hua ,*
*2_ Ibaadat ki Kasrat ke Dhoke me na Aa'o Kyunki Ibleea ke Saath Jo Kuchh hua Wo ( ibaadat per Takabbur aur Dhoka khane ki vajah se ) Taveel ibaadat Ke baad hua ,*
*3_ Kasrate ilm se bhi Dhoka na Khao Kyunki Bal'im bin Ba'oor Bahut bada Aalim tha Magar Uska ibratnaak Anjaam hua ,*
*4_ Nek Logo ki Sarfe ziyarat Kar Lene per iktfa Kar Ke Dhoke me na Aa'o Kyunki Makhlooqe Khuda me Aaqa e Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam se bad Kar to Kisi Ka Muqaam Nahi Lekin Aap ﷺ ke Kaafir Rishtedar Aap ﷺ ki mulaqaat v ziyarat se faayda na utha sake ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.156.Ahyaul Uloom-223,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-123✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheeze Tofeeq Ki Alamato me Se Hai'n ✺*
*1_ Bager Taiyari ke bhi ibaadat me lag jana ,*
*2_ Gunaaho Ki taraf milaan ke bavjood Gunaaho Se Salamat rehna ,*
*3_ Duao'n me mashgool rehna ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.158.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-124✷*
✯—————————————✯
*✺ 7 Cheezo Ke Karne Se Khush Haali Aati hai ✺*
*1_ Gunaaho Se Bachne aur Gunaah hone per Sachche Dil se Maafi maangne Se ,*
*2_ Maa'n Baap Aur Rishtedaro ke Saath Achchha Bartaav Karne se aur Unki Khidmat Karne se,*
*3_ Kasrat se Qurane Paak padhne se,*
*4_ Gareebo aur Majbooro ki madad Karne se,*
*5_ Har Haal me Khuda Ka shukr Ada Karne se,*
*6_ Paancho Waqt Ki Namaz Dhyan aur itminan se Ada Karne se ,*
*7_ Subeh ke Waqt Surah Yaseen aur Shaam ke Waqt Surah Waqia padhne se ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-..160,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-125✷*
✯—————————————✯
*✺ Gurbat lane Wale 7 A'amaal ✺*
*★_ Saat Kaam Karne se bacho Kyunki inse gareebi laahiq hone Ka Andesha hai:-*
*1_ Jaldi Jaldi Namaz padhne se ,*
*2_ Khade ho Kar Peshab Karne se,*
*3_ Peshab Karne Ki Jagah Vazu Karne se ,*
*4_ Khade Ho Kar Pani pine se,*
*5_ Moo'nh se Chiraag bujhane se ,*
*6_ Daa'nt se Nakhoon Kaatne se,*
*7_ Daaman Ya Aasteen se Moo'nh Saaf Karne se,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.160.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-126✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Kaamo Per Jannat Ka Ticket ✺*
*★_ Hazrat Tameem Daari Raziyllahu Anhu se Marvi Hai k Jo 5 Baate le Kar Qayamat ke Din aayega Uska Chehra Jannat se Nahi roka Jayega :-*
*1_ Allah Ta'ala ki Khair khwahi,*
*2_ Allah Ta'ala ke Deen Ki Khair khwahi,*
*3_ Allah Ta'ala ki Kitaab ki Khair khwahi,*
*4_ Allah Ke Rasool ﷺ ki Khair khwahi,*
*5_ Musalmano Ki jama'at Ki Khair khwahi,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-161, Kanzul Ummaal -3/226..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-127✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Cheezo ko 5 Jagah Paya ✺*
*★_ Shekhul Hadees Hazrat Maulana Muhammad Zakariya Sahab Reh. Tehreer farmate hai'n :- Hazrat Shafeeq Balkhi Reh. Mash'hoor Soofi aur Buzurg Hai'n, Farmate hai'n k Humne Paa'nch Cheeze Talash ki aur Unko Paa'nch jagaho per paya :-*
*1_ Rozi Ki Barkat Chaasht Ki Namaz me Mili ,*
*2_ Qabr Ki Roshni Tahajjud Ki Namaz me Mili ,*
*3_ Munkar Nakeer ke Sawal ka Jawab talab Kiya to usko Qira'at me Paya ,*
*4_ Pul Siraat Ka Sahulat se Paar Hona Roza aur Sadqa me paya ,*
*5_ Arsh Ka Saaya Khilwat me Paya ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.162Jawahar Paare.116,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-129✷*
✯—————————————✯
*✺ Gunahgaar Per Allah Ke 4 Ahsaan ✺*
*★_ Hazrat Sa'ad bin Bilaal Bayan Farmate hai'n k jab Koi insaan Gunaah karta Hai to Allah Ta'ala us Shakhs per Chaar Tareeqo se Ahsaan farmate hai'n :-*
*1_ Allah Ta'ala us Mujrim Ka Rizq band Nahi karte ,*
*2_ Allah Ta'ala us Mujrim ki Sahat Kharab Nahi karte ,*
*3_ Allah Ta'ala Us Mujrim Ka Parda Faash Nahi karte ,*
*4_ Allah Ta'ala Us Mujrim ko Jald Saza Nahi dete ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-165.. Tanbihul Gafileen ,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-130✷*
✯—————————————✯
*✺ Kamyaabi ki 12 Zamanate ✺*
*★_ Hazrat Ali Al Murtuza Karamullahu Wajhu ne Musalmano ke bare me Kuchh Kalmaat irshad farmaye Hai'n, Jin per Amal Kare'n To Kamyaabi v Kaamraani se Humkinaar ho Jaye'n aur Kabhi galat Harkat na Kare'n , Wo Nasihat Amooz Kalmaat ye Hai'n :-* *
*1_ Tu Apne Musalman Bhai ki Pasand Ka khayal rakh, Uske Saath Bhalayi Kar , Fir Tujhe uski taraf se Teri Pasandida Cheez milegi _,"*
*2_ Kabhi Kisi Musalman Bhai ke Kalaam me Bad Gumaani na Kar ( Yani Uski Baat me Hamesha Achchha Pehlu Talash Kar ) Tujhe Zaroor Uske Kalaam me koi Achchhi Baat mil Jayegi _,"*
*3_ Jab Tere Saamne Do Kaam Ho'n to Us Kaam me hargiz na pad Jisme Nafs ki Pervi Karna pade Kyunki Nafs ki Pervi me Sarasar nuqsaan hai _,*
*4_ Jab Tu Allah Ta'ala se Apni Kisi Haajat me Haajat Baraari Chahta ho to Dua Se Pehle Uske Pyare Habeeb ﷺ per Kasrat se darood Paak padh , Beshak Allah Ta'ala us Shakhs per bahut Lutf v Karam farmata hai Jo usse Apni Haajate talab Kare'n, Fir Agar koi Shakhs Allah Rabbul izzat se Do Cheeze maangta hai to Allah Ta'ala use Do Cheeze ata farma Deta Hai Jo Uske Haq me Behtar Hoti Hai aur Jo nuqsaandah ho use Bande se rok leta hai _,*
*( Baqi Nasihate in sha Allah Agli post me )*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.163.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-131✷*
✯—————————————✯
*✺ Kamyaabi ki 12 Zamanate - ✺*
*★_ Hazrat Ali Al Murtuza Karamullahu Wajhu ne Musalmano ke bare me Kuchh Kalmaat irshad farmaye Hai'n, Jin per Amal Kare'n To Kamyaabi v Kaamraani se Humkinaar ho Jaye'n aur Kabhi galat Harkat na Kare'n , Wo Nasihat Amooz Kalmaat ye Hai'n :-* *( Pichhli Post se Jaari ..)*
*5_ Jo Shakhs ye Chahe k har Waqt Allah Ta'ala ke Zikr me mashgool rahe to use Chahiye K Sabr ko Apna Sha'aar Bana le aur Har Musibat Per Sabr Kare _,*
*6_ Jo Shakhs Duniyavi Zindgi me Tawalat ( Lambayi ) Ka khwahish mand ho to use Chahiye k Masa'ib ke liye Taiyaar ho Jaye _,"*
*7_ Jo Shakhs ye Chahe k Uska Waqaar v izzat barqaraar rahe to use Chahiye k Riyakaari se Bache _,*
*8_ Jo Shakhs Qaa'id v Rehnuma Yani Sardaar banna Chahe to Use Chahiye k Har Haal me Apni zimmedari Poori kare , Chahe Use Kitni hi Dushwari Ka Saamna karna Pade ( Sardaari ke liye Zimmedariyo ko Poora Karne ki Mashakkat Bardasht Karna Zaroori hai , Bager Mashakkat ke insaan Ko Buland rutba haasil nahi hota )*
*( Baqi Nasihate in sha Allah Agli post me )*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.163.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-132✷*
✯—————————————✯
*✺ Kamyaabi ki 12 Zamanate - ✺*
*★_ Hazrat Ali Al Murtuza Karamullahu Wajhu ne Musalmano ke bare me Kuchh Kalmaat irshad farmaye Hai'n, Jin per Amal Kare'n To Kamyaabi v Kaamraani se Humkinaar ho Jaye'n aur Kabhi galat Harkat na Kare'n , Wo Nasihat Amooz Kalmaat ye Hai'n :-* *( Pichhli Post se Jaari ..)*
*9_ Jis Baat se tera Talluq na ho Khamokhah Uske bare me Sawal na Kar ,*
*10_ Bimari se Pehle Sehat Ko Ganimat Jaan aur Fursat ke lamhaat se Bharpoor fayda utha , Varna Gam v Pareshani Ka Saamna Hoga ,*
*11_ Jo cheez Tere Dil me khatke use Chhod de Kyunki usko Chhod dene me hi Teri Salaamti hai ,*
*12_ Isteqamat Aadhi Kaamyabi hai , Jesa k Gam Aadha Budhapa hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.163.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-133✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 Ghaa'ntiya'n ✺*
*★_ Ibrahim Ad'ham Reh. se Rivayat Hai k Koi Shakhs us Waqt tak Saleheen ka darja nahi Pa Sakta Jab Tak 6 Ghaa'ntiya'n Tay na Kar le :-*
*1_ Pehli Ghaa'nti ye Hai k Wo Naazo Niyamat Ka Darwaza band Kar de aur Sakhti Ka Darwaza khol de _,*
*2_ Doosri Ghaa'nti ye Hai k izzat Ka Darwaza band Kar de aur Zillat Ka Darwaza khol de ,*
*3_ Teesri Ghaa'nti ye Hai k Araam v Raahat Ka Darwaza band Kar de aur Koshish Ka Darwaza khol de,*
*4_ Chothi Ghaa'nti ye Hai k Neend Ka Darwaza band Kar de aur bedaari Ka Darwaza khol de ,*
*5_ Paa'nchvi Ghaa'nti ye Hai k Maaldaari Ka Darwaza band Kar de aur Faqro Faaqa Ka Darwaza khol de,*
*6_ Chhati Ghaa'nti ye Hai k Ummeed Ka Darwaza band Kar de aur Maut Ki Taiyari Ka Darwaza khol de,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-..166,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-134✷*
✯—————————————✯
*✺ Shareef Aadmi Ke Liye 4 Achchhi Baate ✺*
*★_ Ibrahim bin Juned Reh. Se Marvi Hai k Shareef Aadmi Ke Liye Chaar Baate Munasib Hai'n chaahe wo khud Haakim hi kyu na ho :-*
*1_ Baap ke liye Apni Jagah se uth khada Hona ,*
*2_ Mehmaan ki khidmat Karna ,*
*3_ Aalim ki Khidmat Karna Jisse wo Taleem haasil karta ho ,*
*4_ Us Cheez ki nisbat Sawal Karna Jiska use ilm Nahi ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.166.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-135✷*
✯—————————————✯
*✺ 10 Cheezo Ke Bager 10 Cheeze Gair Mufeed Hai'n ✺*
*_ 1_, Aqal Bager Taqwa Ke,*
*2_ Badshahat bager Adlo insaaf ke ,*
*3_ Kaamyabi bager Khofe Khuda Ke,*
*4_ Buzurgi bager ilm ke ,*
*5_ Hasab v Nasab bager Adab ke ,*
*6_ Khush Haali bager Aman Ke,*
*7_ Maaldaari bager Sakhawat ke ,*
*8_ Faqar bager Qana'at ke,*
*9_ Shahadat bager Allah ki Tofeeq ikhlaas ke Mumkin Nahi,*
*10_ Buland Martaba Bager Aajizi ke ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.167.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-136✷*
✯—————————————✯
*✺ Kalma Tayyaba Ke Ba Wazu Vird Per 12 ina'amaat ✺*
*1_ Duniya Se Islam per uthaya Jayega,*
*2_ us per Jaan Kani ki Shakti aasan Hogi,*
*3_ uski Qabr Roshan Hogi,*
*4_Pul siraat Se bijli Ki Tarah guzar Jayega,*
*5_ usko Qayamat ke din shohda ki Jama'at ke Saath A'amaal Naama Diya jaega,*
*6_ Meezane Amal me uski Nekiyo'n ka palda bhari hoga,*
*7_ Munkar Nakeer UsKe Saamne Achchi Surat me aaenge,*
*8_ Allah Ta'ala Uske Jism ko dozakh per Haram Kar dega,*
*9_ Sharaab e tahoor se use sairaab kiya jayega,*
*10 Jannat me Sattar Hoore'n uski Biviya'n Ho'ngi,*
*11_ Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shafa'at Naseeb Hogi ,*
*12 _ Sabse badh kar Allah Ta'ala ka Didaar hoga ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.168. Tazkiratul Wa'izeen,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━
*✷PART-138✷*
✯—————————————✯
*✺ 7 Kalmaat Ke 7 Hazaar Faayde ✺*
*★_ Kisi Danishwar Ka maqoola hai k Khamosh rehne me 7 Hazaar munafe Hai'n Jo k 7 Kalmaat me ikatthe Hai'n aur Har Ek Kalma Ek Hazaar Faayde per mushtamil hai :-*
*1_ Pehla Kalma ye Hai k Khamoshi bila Mashakkat ke ibaadat hai,*
*2_ Doosra ye k Bager Zever ke zeenat hai,*
*3_ Teesra ye k Bager Musibat Ke Hukumat hai ,*
*4_ Chhotha ye k Bager Diwaar ke Qila hai ,*
*5_ Paa'nchva ye k isme Kisi Shakhs Ke Paas ma'azrat nahi Karni padti ,*
*6_ Chhata ye k isme Naama A'amaal likhne walo ke Waaste Raahat hai,*
*7_ Saatva ye k insaan ke uyoob ke Waaste Parda hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.169.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-139✷*
✯—————————————✯
*✺ 7 Khofnaak Qism Ki Aag Ko bujhane Ke 7 Tareeqe ✺*
*1_ Gunaaho Ki Aag Khaalis Tauba se bujhayi Jati Hai,*
*2_ Shehwat Ki Aag Roze Rakhne se bujhayi Jati Hai,*
*3_ Hirs ki Aag Qana'at Karne Se bujhayi Jati Hai,*
*4_ Nazre Bad Ki Aag Umr Sarf Karne Se bujhayi Jati Hai,*
*5_ Jahaalat Ki Aag ilm Seekhne se bujhayi Jati Hai,*
*6_ Gusse ki Aag wazu aur darood padhne se bujhayi Jati Hai,*
*7_ Gaflat Ki Aag Allah Ka Zikr Karne se bujhayi Jati Hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.170.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-140✷*
✯—————————————✯
*✺ Sharafat Ki 7 Nishaniya'n ✺*
*★_ Faqeeh Reh. Kisi Buzurg Ka Qaul naqal Karte Hai'n k Jo Saat Baato Ka Ahatmaam karega Wo Allah aur Farishto ke Nazdeek Shareef Hoga aur Uske Gunaah Maaf kiye Jayenge chahe Samundar ke jhaag ke barabar hi kyu na ho aur ye Shakhs imaan Ka zaayqa payega , Uski Zindgi aur Maut Dono behtar hogi :-*
*1_ Har kaam Se Pehle Bismillah padhna ,*
*2_ Har Kaam se Faarig ho Kar Alhamdulillah kehna ,*
*3_ Lagv Kaam ya Gunaah Ke baad Astagfirullah kehna ,*
*4_ Musibat per inna lillahi wa inna ilaihi Raji'uon kehna ,*
*5_ Aainda ke liye koi Baat kahe to Uske Saath in sha Allah kehna ,*
*6_ Nagawaar Baat per La hawla wala quwwata illa billahil aliyil Azeem kehna ,*
*7_ Har Waqt Kalma Toheed Ka Vird rakhna ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.170.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-141✷*
✯—————————————✯
*✺ 6 A'amaal Akhtyar Karne Per 6 ina'amaat ✺*
*1_ Jisko Dua ki Tofeeq mil gayi Wo Qubuliyat se hargiz Mehroom na rahega ,*
*2_ Jisko Sabr ki Tofeeq mil gayi Wo Sawab se hargiz Mehroom na rahega,*
*3_ Jisko Tauba ki Tofeeq mil gayi Wo Tauba ki Qubuliyat se hargiz Mehroom na rahega,*
*4_ Jisko istagfaar ki Tofeeq mil gayi Wo Magfirat se hargiz Mehroom na rahega,*
*5_ Jisko Shukr ki Tofeeq mil gayi Wo Ni'amato ki zyadtiyo se hargiz Mehroom na rahega,*
*6_ Jisko Kharch ki Tofeeq mil gayi Wo mu'awza se hargiz Mehroom na rahega,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-171..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-142✷*
✯—————————————✯
*✺ Nafs v Shaitaan Ke 6 Bade Dhoke ✺*
*1_ Bakhshish ki Ummeed per besharmi ke Saath Gunaaho ko Karna ye Bahut bada Dhoka hai ,*
*2_ Bager ita'at ke qurbe Khudawandi ki Tawaqqo rakhna ye Bahut bada Dhoka hai,*
*3_ Jahannam Wale A'amaal Kar Ke Jannat Ka intezar Karna ye Bahut bada Dhoka hai,*
*4_ Gunaaho ke zariye ita'at guzaaro Ka Maqaam haasil Karna ye Bahut bada Dhoka hai,*
*5_ Amal ke bager Achchha Mu'awza Milne Ka intezar Karna ye Bahut bada Dhoka hai,*
*6_ Allah aur Uske Rasool ﷺ ki Raah per na Chalna aur Nijaat ki Ummeed rakhna ye bhi Bahut bada Dhoka hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.171.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-143✷*
✯—————————————✯
*✺ Bad Bakhti ki 4 Nishaniya'n ✺*
*1_ Aankh Ka Aa'nsu na bahana ,*
*2_ Dil Ka Sakht Hona ,*
*3_ Lambi Ummeede,*
*4_ Duniya ki Muhabbat,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-171..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-144✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Cheezo Ko Dafan kar Diya Karo ✺*
*1_ Jab Badan se Baal Juda kiye Jaye'n to unhe dafan Kar dena Chahiye,*
*2_ Jab Badan se Daa'nt Juda kiye Jaye'n to unhe dafan Kar dena Chahiye,*
*3_ Jab Badan se Khoon Juda ho Jaye to use dafan Kar dena Chahiye,*
*4_ Jab Badan se Nakhoon Juda kiye Jaye'n to unhe dafan Kar dena Chahiye,*
*5_ Jab Badan se khatna kiya Jaye to Kaada gaya tukda Dafan kar dena Chahiye,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-172..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-145✷*
✯—————————————✯
*✺ Parhezgaari Ke Liye 10 Cheeze Laazim hai ✺*
*1_ Pehli Cheez Apni Zubaan ko Geebat se mehfooz rakhe ,*
*2_ Doosri Cheez Apni Zaat Ko Bure Gumaan se Mehfooz rakhe ,*
*3_ Teesri Cheez Apni nigaah Ki Haraam Cheezo Se mehfooz rakhe,*
*4_ Chothi cheez Apne Aapko Ha'nsi Mazaaq se mehfooz rakhe,*
*5_ Paa'nchvi Cheez Zubaan ko Jhoot bolne se mehfooz rakhe ,*
*6_ Chhati cheez Namazo ki Pabandi ko qaa'im aur mehfooz rakhe ,*
*7_ Saatvi Cheez Apne Maal ko Baatil per Kharch Karne se mehfooz rakhe,*
*8_ Aathvi cheez Apne Aapko bulandi aur badayi ki chahat se mehfooz rakhe,*
*9_ Navi Cheez Apni Zaat Ko Khuda ki Ahsaan Faramoshi se mehfooz rakhe,*
*10_ Dasvi Cheez Sunnat aur Jama'at per Isteqamat se qaa'im rahe'n,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.176.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*🎍﷽ 🎍*
✯—————————————✯
*✦ ANMOL-JAWAHIRAAT ✦*
┗─────────────🕯
*✷PART-146✷*
✯—————————————✯
*✺ 5 Andhero Ke 5 Chiraag ✺*
*1_ Duniya Ki Muhabbat Andhera hai aur Uska Chiraag Taqwa hai ,*
*2_ Gunaah bhi Andhera hai aur Uska Chiraag Tauba hai ,*
*3_ Qabr bhi Andhera hai aur Uska Chiraag Kalma Tayyaba hai ,*
*4_ Aakhirat Andhera hai aur Uska Chiraag Nek Amal hai ,*
*5_ Pul Siraat Andhera hai aur Uska Chiraag Yaqeen hai ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-176..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-147✷*
✯—————————————✯
*✺ 7 Bhalayi ki Cheeze ✺*
*1_ Ibaadat me ikhlaas,*
*2_ Walden Se Husne sulook,*
*3_ Silah Rehmi Karna ,*
*4_ Amaanat Ka Ada Karna ,*
*5_ Allah Ta'ala ki Ma'asiyat me Kisi ki farmabardaari na Karo ,*
*6_ Nafsaani Khwahishaat per Amal na kare aur Nafs Ka itteba na kare ,*
*7_ Taa'at me khoob Mehnat kare ,Allah Ta'ala se darta rahe aur Sawab Ka Ummeed Waar rahe ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-178..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-148✷*
✯—————————————✯
*✺ Khush Qismat Logo Ki 11 Nishaniya'n ✺*
*1_ insaan Duniya se be ragbat ho aur Akhirat per Yaqeen Rakhta ho aur Akhirat ko Durust Karne ki Tadbeer Akhtyar karta ho ,*
*2_ Maut Ko Hamesha Yaad Rakhta ho ,*
*3_ Fizool Guftgu na karta ho,*
*4_ Tamaam Awqaat Namaz Ka Paband ho ,*
*5_ Khuda ki Makhlooq Ka Gamgusaar ho ,*
*6_ Mizaaj me Aajizi ho Tabiyat me guroor na ho ,*
*7_ Achchhe Akhlaaq ho aur Sakhawat Karne wala ho,*
*8_ Maale Haraam se khud Ko Bahut Mehfooz Rakhta ho Chahe Kam ho ya zyada ho ,*
*9_ ibaadat aur Qurane Kareem ki tilawat Uska Buniyadi Maqsad ho,*
*10_ Allah Ta'ala ki Makhlooq ke Waaste nafa pahunchane Ka Zariya ho,*
*11_ Nek Logo ki Majlis Akhtyar karta ho aur Bure logo ki Majlis se khud Ko bachata ho ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-181..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-149✷*
✯—————————————✯
*✺ Allah Ki Rehmat Se Mehroom Shakhs Ki 7 Buri Khaslate ✺*
*1- Maal Jama Karne Ki Tama,*
*2- Logo per bager Kisi Sabab ke Tohmat lagana,*
*3- Nafsaani Khwahisho aur Shehwato me mubtila rehna ,*
*4 -Namaze Ba Jam'at Ki tabire Awla Faut ho Jana ,*
*5_ Kasrat Se ha'nsna ,*
*6 _ Logo ki Geebat Karna ,*
*7_ Gair Mehram Aurto'n ko dekhna ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.181.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-150✷*
✯—————————————✯
*✺ 8 Anmol aur Qeemti Baate ✺*
*★_ Danishwar Kehte Hai'n k Jo Shakhs 8 Baato se Aajiz aa Jaye to Wo Doosri 8 Baate Akhtyar kare Taki Wo Unki Fazilat pa le :-*
*1_ Pehli ye k Jo koi ye Chahta hai k Soye Soye hi Namaze Tahajjud Ka Sawab pa le , Wo Din ko Khuda ki Nafarmani na kare ,*
*2_ Doosri ye k Jo Aadmi Chahta hai k ( Nifl ) Roza rakhe bager Nifl Roze Ka Sawab pa le Wo Apni Zubaan ki Hifazat kare ,*
*3_ Teesri ye k Jo Shakhs Chahta hai k Ulma Ka darja haasil Kare Wo gor v Fikr Akhtyar kare ,*
*4_ Chothi ye k Jo koi Ghar Bethe hi Namaziyo aur Mujahido Ka Sawab Chahta hai Wo Shaitaan se Jaddo Juhad kare ,*
*5_ Paa'nchvi ye k Jo nadaari ke bavjood Sadqe Ka Ajar Lena Chahta hai Wo Apna Seekha hua ilm logo ko sikhaye,*
*6_ Chhati ye k Jo koi Hajj se Aajiz Aane ke bavjood uski Fazilat Chahta hai Wo Namaze Juma ki Haazri Ka Pabandi se Ahatmaam v iltzaam rakhe ,*
*7_ Saatvi ye k Jo ibaadat Guzaaro Ka darja Lena Chahta hai Wo Logo ki baaham Suleh karaye aur Unme Adawat aur Bugz paida na kare ,*
*8_ Aathvi ye k Jo Abdaal Ka darja Chahta hai Wo Apne Seene per Haath rakhe aur Apne Bhai ke liye Wohi Pasand kare jo Apne Liye Pasand karta Ho _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-182..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-151✷*
✯—————————————✯
*✺ Zillat dilane Wale 8 Kaam ✺*
*1_ Bager bulaye kisi ke Ghar Jane se insaan Khwaar hota hai,*
*2_ Bila ijazat ounchi Seat per Bethe se insaan Khwaar hota hai,*
*3_ Dushman se Sawal Karne Ke Sabab se bhi insaan Khwaar hota hai,*
*4_ Gair Mehram Aurto'n se maskhari Karne se bhi insaan Khwaar hota hai,*
*5_ Chugal khori Zaahir hone ke Sabab se bhi insaan Khwaar hota hai,*
*6_ Bola zarurat v chahat ke bolne se bhi insaan Khwaar hota hai,*
*7_ Khasees ( Kanjoos) Aadmi se Maal talab Karne se bhi insaan Khwaar hota hai,*
*8_ Apne se zyada Zor Aawar Shakhs se Dosti Karne se bhi insaan Khwaar hota hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-. 183 .,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-152✷*
✯—————————————✯
*✺ Marne Ke Baad 5 Baato Ka Sadma hoga ✺*
*1_ Uske Maal v Daulat ki Hazrat Ka jise Usne Zindgi Bhar Haraam aur Halaal Tariqe se Jama Kar Ke Vaariso ke liye Tarka chhoda ,*
*2_ Is Baat Ka Afsos k Tamaam Umar Nek A'amaal baja lane ko doosre Waqt per taalta raha Lekin Neki ki Kabhi Tofeeq na hui , Apne A'amaal Naame me Bahut thodi Nekiya'n dekhta hai aur Allah Ta'ala se iltija karta Hai k Fir usko Duniya me Jane ki ijazat mile Taki Tauba Kar Ke ibaadat aur Bandgi me mashgool ho ,*
*3_ Apne Gunaaho per Sharminda hota hai Jinki beshumaar tadaad Apne A'amaal Naame me paata hai , us Waqt Tauba karta Hai jabki Tauba Kuchh kaar Aamad Nahi ,*
*4_ Bahut Se logo ko Wo paata hai Jo Allah Ke Saamne us per Daava karenge aur us Waqt Sirf Apni nekiya'n de Kar Apne Mudda'iyo ko Raazi Kar Sakta Hai ,*
*5_ Allah Ko Apne se na Khush paata hai Jiske Raazi Karne ki us Waqt koi sabeel Nahi ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.184.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-153✷*
✯—————————————✯
*✺ Zina Ki 9 Tabaah Kaariya'n ✺*
*★_ Zina Ke 9 Vabaal Hai'n :-*
*1_ Deen Ki Kami ,. 2_ Rizq Ki Kami,*
*3_ Azeezo Se judayi Ka Sadma ,*
*4_ Gam v Gussa, ,*
*5_ Nasyaan ( Bhoolne Ki Bimaari ) Ka galba ,*
*6_ Ahle imaan Ki Naraazgi,*
*7_ ibaadat Ka Rad Hona ,*
*8_ Dua Ka qubool na Hona _,*
*9_ Chehre Ki Ronaq Ka Zawaal ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.184.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-154✷*
✯—————————————✯
*✺ 8 Qism Ki Sohbat Ke 8 Natije ✺*
*★_ Jo Shakhs 8 Qism ke logo ke paas bethta hai Allah Ta'ala usme 8 Cheezo Ka izafa farma dete Hai'n :-*
*1_ Jo Sultan Ke paas bethta hai Usme Takabbur aur Sangdili badhti hai,*
*2_ Jo Nek Logo Ke paas bethta hai Usme Allah Ta'ala ita'at ki ragbat aur Haraam se Parhez bada Dete Hai'n,*
*3_ Jo Fuqra ke paas bethta hai Allah Ta'ala usme Shukr aur Apni Taqseem per Razamandi Ka izafa farma dete Hai'n,*
*4_ Jo Aurto'n ke Paas bethta hai Usme Jahaalat, Shehwat aur Aurto'n ki Aqal ki taraf meelaan hota Hai ,*
*5_ Jo Daulatmand ke paas bethta hai Usme Duniya ki Muhabbat, Hirs badha dete Hai'n,*
*6_ Jo Na- Baalig Ladko ke bethta hai Usme Gaflat aur Mazah badhta hai ,*
*7_ Jo Ulma ke paas bethta hai Allah Ta'ala Usme ilm aur Taqwa Ka izafa farma dete Hai'n,*
*8_ Jo Faasiq logo ke paas bethta hai Usme Gunaaho per Dileri v Jurr'at, Tauba Karne me Susti zyada Hoti Hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-185..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-155✷*
✯—————————————✯
*✺ imaan se mehroom Kar dene wali 3 Cheeze ✺*
*1_ Sabse Pehli Cheez hai Musalman hone per Shukre Khudawandi na karna ,*
*2_ imaan ke chale jane ka kisi qism ka kharra mehsoos na karna,*
*3_ Musalman Per Zulm karna ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-186..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-156✷*
✯—————————————✯
*✺ Maut ki Yaad se 3 Baato Ka Aizaaz ✺*
*★_ Jo Shakhs Kasrat se maut Ko Yaad rakhta hai to Usko teen Baato ka Aizaaz Haasil hota hai :-*
*1_ Tauba me Jaldi Ki Tofeeq hoti hai,*
*2_ Rizq me Qana'at v Tawakkul,*
*3_ ibaadat me Lazzat v Farhat,*
*★_ Aur Jo Shakhs Maut Ko Yaad nahi rakhta usko Teen Cheezo me mubtila hone ki Saza milti hai:-*
*1_ istagfaar me Takheer,*
*2_ Ba qadre Kifayat Rizq per Be Sabri,*
*3_ ibaadat me Susti aur Kaahili,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.186.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-157✷*
✯—————————————✯
*✺ 2 Sifto ki bina Per Sabr v Shukr Karne Walo me Naam ✺*
*★_ Hazrat Amru bin Shu'aib Rivayat farmate Hai'n k Jis Shakhs me Do khaslate payi jaye us Shakhs ko Sabr karne wala aur Shukr Karne Wala likh liya jata hai :-*
*1_ Jo Shakhs Deen Ke maamle me Apne se ouper wale ko dekhe aur uski iqtida kare ,*
*2_ Jo Shakhs Duniya ke maamle me Apne se Kam ko dekhe aur us per Allah ta'ala ne Jo Fazal v Karam farmaya hai uski vajah se Khudawand quddus ki hamdo sana kare ,*
*★_ Jesa k Allah ta'ala ne farmaya - Allah ta'ala ne tumne se baaz ko baaz per fazilat ata farmayi ( maal ke Aitbaar se ) uski Tamanna na karo , Mardo'n ke liye hissa hai jo unhone Kasb kiya , Aurto'n ke liye hissa hai Jo unhone kamaya , Tum Allah ta'ala se uske Fazal ka sawal karo , beshak Allah ta'ala har cheez ka jaanne wala hai_,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.188 , Tazkiratul Wa'izeen.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-158✷*
✯—————————————✯
*✺ Ek Sawal Ke 10 Jawabaat ✺*
*★_ Sawal Kiya gaya k ilm behtar hai ya maal, Hazrat Ali Karamaullahu Wajhu ne is sawal ke 10 Jawab diye :-*
*1_ Ilm se Dil ko Roshni milti hai lekin Maal se Dil me Andhera dakhil ho kar badta hai,*
*2_ ilm behtar hai kyunki Maal Firoun Hamaan Ka Tarka hai aur ilm Paigambaro ki virasat hai,*
*3_ ilm Dair tak rehne se kharab nahi hota lekin Maal dair tak rehne se boshida ho jata hai,*
*4_ ilm se Hardil Azeezi paida hoti hai lekin Maal se beshumar Dushman paida hote hai'n,*
*5_ ilm behtar hai kyunki Maal ki tujhe hifazat karni padti hai lekin ilm teri hifazat karta hai ,*
*6_ ilm kharch karne se badta hai aur maal kharch karne se ghatta hai,*
*7_ ilm ki chori ka koi khatra nahi lekin Maal ki chori ka khatra hota hai,*
*8_ ilm wala Hamesha Kareem kehlata hai lekin Maaldaar Kanjoos kehlata hai,*
*9_ Zyada ilm se Rasoole Paak ﷺ ne farmaya - Humne aapki ibadat ka haq Ada nahi kiya, Lekin zyada maal se Firoun, Shaddad, aur Namrood ne khudayi ka Daava kiya ,*
*10_ ilm ka koi hisaab na hoga lekin Maal v Daulat ka zaroor hisaab hoga,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-187..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-159✷*
✯—————————————✯
*✺ 8 Cheeze Jinko Karne Ka Koi Fayda nahi ✺*
*1_ Esi Namaz Khayr se khali hai Jisme Khushu na ho ,*
*2_ Esa ilm be fayda hai jisme Parhezgari na ho,*
*3_ Us maal me koi Khayr nahi Jisme Sakhawat na ho,*
*4_ Esi ni'amat Barkat se khali hai Jo hamesha na rahe,*
*5_ Esi Dua bekaar hai Jisme ikhlas na ho,*
*6_ Ese Bhai Chaare me koi Khayr nahi Jisme ek doosre ki madad nahi ,*
*7_ Esa Roza bhalayi se khali hai Jisme fizuliyaat se bacha na jaye,*
*8_ Esi Tilawat me kuchh fayda nahi Jisme goro fikr na ho,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.189.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-160✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Anmlo Nasihate ✺*
*1_ Jo Shakhs Duniya ki taraf se Fikrmand hota hai to wo Shakhs Allah ta'ala per Naraaz hota hai,*
*2_ Jo Aadmi Apni musibat ki shikayat doosre se karta hai to wo Shakhs dar asal Apne Parwardigaar ki shikayat karta hai,*
*3_ Jo Shakhs is Baat ki parwah nahi karta k Uski Rozi kis jagah se naazil hoti hai to goya wo Shakhs is Baat ki fikr nahi karta k Allah ta'ala usko kis raaste se Jahannam me dalenge _,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.190.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-161✷*
✯—————————————✯
*✺ Allah Ta'ala Ke Do Pasandida A'amaal ✺*
*★_ Allah ta'ala ko Bande ke Do ghoo'nt sabse zyada Pasand Hai'n :-*
*1_ Ek gaiz v gazab ke waqt ka ghoo'nt Jo k Gussa bardasht karne wala Shakhs gussa bardasht karne ki vajah se halaq se utaarta hai ,*
*2_Doosra takleef aur Musibat ka ghoo'nt Jisko insaan Sabr ke saath nigal leta hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-190..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-162✷*
✯—————————————✯
*✺ Allah Ta'ala Ke 2 Pasandida A'amaal-2 ✺*
*★_ insaan ke 2 qatre Allah ko nihayat pasand hai'n :-*
*1_ Ek Raahe Khuda me behne wala Khoon ka qatra ,*
*2_ Doosra Raat ke Andhere me behne wala Aa'nsu ka qatra Jabki wo apne Parwardigaar ke Aage Sajda karta hai aur Allah Ta'ala ke alawa koi usko dekhne wala nahi hota,*
*★_ Ye insaan ke Do qadam Allah Ta'ala ko bahut pasand hai'n :-*
*1_ Ek Farz Namaz ki Adaygi ke waaste jo qadam uthaye,*
*2_ Doosra wo qadam Jo k Husne Sulook aur Silah Rahmi Ke Waaste insaan uthata hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.191.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-163✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Qism Ke Logo Ke Liye Arsh Ka Saaya ✺*
*★_ Teen qism ke log ese hai'n K Unko Allah ta'ala Qayamat ke din Apne Arsh ke Saaye me jagah ata farmayenge Jis din us Saaye ke alawa koi doosra Saaya nahi hoga:-*
*1_ Andheri Raato ko Masjid ki taraf chalne wale,*
*2_ Mashakkat Ke waqt Wazu karne wale,*
*3_ Bhooke ko khana khilane wale ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-..192,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-164✷*
✯—————————————✯
*✺ Do Achchhi aur Do Buri Aadate'n ✺*
*★_ Do Aadate'n esi hai'n K Unse Afzal koi Cheez nahi :-*
*1_ Allah per imaan ,*
*2_ Musalmano Ko nafa pahunchana ,*
*★_ Aur Do Aadate'n esi hai'n k Unse zyada Koi doosri Chhez buri nahi :-*
*1_ Allah Ke saath Shareek thehrana ,*
*2_ Musalmano ko nuqsaan Pahunchana,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-192..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-165✷*
✯—————————————✯
*✺ 8 Anmol Nasihate'n ✺*
*1_ Jo Shakhs doosro ke Ayb talash karna chhod deta hai use Apne Aybo ki islah ki fikr paida ho jati hai,*
*2_ Jo Shakhs Fizool Kalaam chhod deta hai usko Hikmat ata ki jati hai,*
*3_ Jo Shakhs Fizool dekhna chhod deta hai use Khushu e qalb inayat kiya jata hai,*
*4_ Jo Shakhs Fizool khana pina tark kar deta hai use ibaadat ki Lazzat haasil hi jati hai,*
*5_ Jo Shakhs Fizool ha'nsi tark kar deta hai use Roab aur Dabdaba ata kiya jata hai,*
*6_ Jo Shakhs Mazaak Fizool dillagi tark kar deta hai uske Dil me imaan ka noor zaahir hota hai,*
*7_ Jo Duniya ki muhabbat chhod deta hai use Aakhirat ki muhabbat naseeb ho jati hai,*
*8_ Jo Shakhs Allah ta'ala ki zaat me Gor v Fikr tark kar deta hai usko nifaaq se bari kar diya jata hai,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.193.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-166✷*
✯—————————————✯
*✺ Apne Ustaad Ko Haqeer Samajhne Wale Ke Liye 12 Musibate'n ✺*
*★_ jo Shakhs Apne Ustaad ko Haqeer jane us shakhs ko Allah ta'ala 12 balao'n me mubtila farmata hai :-*
*1_ Wo Shakhs jo kuchh ilm haasil karega bhool jayega,*
*2_ Uska Rizq jata rahega,*
*3_ Usko ibaadat e ilaahi ki tofeeq na hogi,*
*4_ Uski Umar kam hogi ,*
*5_ Hamesha Shaitaan ke makri fareb me mubtila rahega,*
*6_ Dozakh me rahega,*
*7_ Uska Dil ma'arfate ilaahi ke liye haazir na hoga,*
*8_ Duniya se imaan ke bager uthega,*
*9_ Uske Chehre se Neki aur Sa'adat ki ronaq door ho jayegi,*
*10_ Jaan nikalne ke waqt uski zabaan kalma shahadat ke liye goo'ngi ho jayegi,*
*11_ Uski qabr is qadar tang hogi k uski Haddiya'n Pasliya'n choor ho jaye'ngi ,*
*12_ Faasiqo aur Badkaaro ke zumre ( giroh ) me uska Hashr hoga,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-195..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━
*✷PART-167✷*
✯—————————————✯
*✺ Khair Ki Tofeeq Ka Darwaza Band Karne Wali 6 Cheeze ✺*
*1_ Allah Ta'ala Ki Ni'amat khate hai'n aur Shukr nahi Karte,*
*2_ Marne Walo ko Dafan Karte hai'n aur Nasihat nahi pakadte,*
*3_ Jabki Log ilm haasil karte hai'n aur Us per Amal nahi karte,*
*4_ Nek Logo ki Sohbat me bethte hai'n aur Unke Tareeqe per nahi chalte ,*
*5_ Daulatmand hote hai'n aur Aakhirat ke liye kuchh Tosha ( Samaan ) nahi lete ,*
*6_ Gunaah Karte Chale jate hai'n aur Tauba nahi karte ,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-.197.,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-168✷*
✯—————————————✯
*✺ 4 Cheezo Ki 4 Buniyaade ✺*
*1_ Dava'iyo'n Ki Buniyaad Kam Khana hai _,*
*2_ Adab Ki Buniyaad Kam Bolna hai _,*
*3_ ibaadat Ki Buniyaad gunaaho se bachana hai_,*
*4_ Ummed Ki Buniyaad Sabr hai _,"*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-200..,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-169✷*
✯—————————————✯
*✺ 3 Cheeze Jo 3 Cheezo Ke bager Qubool nahi ✺*
*★_ Teen Ayaat esi hai'n Jinme Teen Cheeze Doosri Teen Ke saath mil kar utri hai'n, Ye Cheeze esi hai'n k unme se koi si cheez bhi doosri Cheez ke bager Qubool nahi hoti :-*
*1_Pehli Aayat me irshade Khudawandi hai - "_ita'at Karo Allah ki aur Allah ke Rasool ki_,"*
*Ab agar Kisi ne Allah Ki ita'at to ki Lekin Allah ke Rasool ki ita'at na ki to Allah ki ita'at qubool nahi hogi_,"*
*2_ Doosri Aayat me Irshad hai - "_ Namaz qaa'im karo aur zakaat ada karo _,"*
*Ab agar kisi ne Namaz to qaa'im ki lekin zakaat Ada na ki to uski namaz qubool nahi hogi _,"*
*3_ Teesri Aayat me Irshad hai - "_ Shukr ada kar mera aur Apne Walden ka _,"*
*Ab agar koi Shakhs Walden ka Shukr ada nahi karta to Allah ka Shukr qubool nahi hoga,*
*📓 Anmol Jawahiraat- Safa-..200,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-170✷*
✯—————————————✯
*✺ Kam Zarf (Kamine insaan) Ki Mohtaajgi Maut se bhi Talkh hai ✺*
*★_Hakeem Luqman se puchha gaya k Kisi insaan Ki Zindgi me Kabhi Maut se Talkh bhi Koi Lamha aa Sakta hai?*
*"★_ Jawab diya gaya k, Haa'n, Wo Lamha Maut se bhi zyada Talkh hota hai Jab Koi Sahibe Zarf Kisi Kam Zarf ka Mohtaaj ho Jaye _,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-171✷*
✯—————————————✯
*✺ Khud Beeni ✺*
*★__Hazrat Hasan Basri Reh. Kaha Karte they k Maine Jis kisi Ko dekha Apne se behtar Khayal kiya, Lekin Ek Din maamla iske bar aks hua, Ek Habshi Dariya ke Kinare Ek Aurat Ke Saath betha Surahi se kuchh pi raha tha, Mai'n Socha Mai'n kaisa hi hu'n isse to behtar hu'n,*
*★_ isi Asna me dekha k Ek Kashti Jisme Saat Aadmi Sawaar they Dariya me doob rahi hai, Wo Habshi foran dariya me kood pada aur 6 Aadmiyo'n ko bacha laya, fir meri Taraf Mukhatib ho kar bola Hasan ! Us Ek ko Tu bacha la"*
*★_ Mai'n Hairaan reh gaya, Fir Wo bola -is Surahi me Pani hai aur Ye Aurat meri Maa'n hai, Teri Aazma'ish ke Liye Mai'n Yaha'n betha tha, Abhi Tujh me Zaahir Beeni ( Khud Beeni) baqi hai,*
*®_ Fawaidul Fawad- 323,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-172✷*
✯—————————————✯
*✺ Jened Bagdadi Reh. Ka Qaul ✺*
*★_ Juned Bagdadi Reh. Farmate hai'n k 4 Khoobiya'n 4 Sifaat Esi hai'n Jo insaan Ko Bahut hi Buland v Bala Darjaat per pahu'ncha deti Hai'n Chahe uska Amal Kam ho,*
*"★_ Yani Sirf Fara'iz hi poore ho'n Bahut zyada ibadaat na Ho'n, Bahut zyada Deen ke Liye mehnat na ki ho Lekin 4 Cheeze Esi hai'n Jo insaan Ko A'ala muqam per Pahu'ncha deti hai, Gor karne Wali baat ye hai k Wo Konsi 4 baate hai'n?*
*"_(1) Tahammul Mizaaji (Bardasht),*
*"_(2) Sakhawat,*
*"_(3) Tawazo Yani Apne Aapko Jhuka kar rakhna,*
*"_(4) Husne Akhlaaq,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-173✷*
✯—————————————✯
*✺ Allah Ka Chunaav ✺*
*★_ Kuchh Log Allah Ke Dar Ke Liye hi Paida kiye Jate hai'n, Allah Unko Chun Leta hai, Kabhi Rula kar Kabhi Aazma kar kabhi Takleef de kar,*
*★_ Wo Apne Khaas Bando ko Doosro se Alag kar deta hai, Kuchh is Muqaam Tak chal kar Khud aate hai'n, Kuchh ko Khee'nch Kar Laya jata hai, Bande ki Kya Majaal k Allah Ke Hukm se Saetaabi kare,*
*★_ Use Dukh Ki Bhatti se bhi Guzaar Kar Kundan bana kar Allah uske Dil ka Makeen ban jata hai aur Jisko Rab mil Jaye usko Sab mil gaya,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-174✷*
✯—————————————✯
*✺ Kisi Ke Zaahir Ko Dekh Kar Faisal na Kare'n ✺*
*★_ Ek Shakhs Ki Maut Tawaa'if ke Kothe me hui, Ek Doosre Shakhs Ki Maut Masjid me,*
*★_Pehla Waha'n isliye Dakhil hua k Unko Nasihat kar Sake Taki Wo Apna Pesha Chhod Kar Deendari Akhtyar kare'n aur Doosra Masjid me isliye Dakhil hua k Joote Chura Sake,*
*★_ Isliye na To Mai'n aur na Hi Aap ye Faisla kar Sakte Hai'n k Kon Jannati hai aur Kon Aag me Jayega, Logo'n Ke bare me Unke Zaahir Ko dekh kar Faisla na Kare'n Kyu'nki Dilo'n Ka Maamla Rab hi Jaanta hai K Dilo'n me Kya hai,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✷PART-175✷*
✯—————————————✯
*✺ Tauba Ka Gusl ✺*
*★_ Insaan Kabhi Kabhi Ye Sochta hai k Agar Mai'n Tauba Karu to Kya Fayda? Kyunki fir Gunaah Kar bethunga, Mai'n Tauba per Jam nahi Sakta,*
*★_ Iski Misaal Esi hai Jese koi kahe k Agar Mai'n Nahaunga fir bhi Pasina to aayega, Lihaza Nahane se Kya Fayda?*
*★_To Har Banda Usko kahega k Bewaqoof Abhi Jo Pasina hai Badbu hai Abhi To Naha ke Saaf ho ja, Agar Pasina aa gaya to Fir Naha lena,*
*★_ Isi Tarah is Waqt Jo Gunaho ka pasina hamare Qalb v Dimaag aur Jism per aaya hua hai, Hum Tauba ka Gusl kar ke usko Khatm karwa le'n, Agar Tauba ke baad bhi Gunaah Sarzad ho gaya to fir Tauba kar le'nge, Baar baar Tauba karte rahenge,*
★_
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻 Visit For All Posts _,*
https://chat.whatsapp.com/Drp4FpBvkVN5c2Tpun0yNT
*👆🏻 What's app Per Mukammal Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
⚫☆⚫
0 Comments