┯━══◑━═━┉─◑━═━━══┯
*●• KHAWATEEN KE DEENI FARA'IZ •●*
╥────────────────────❥
*⊙__Deeni Fara'iz Ke Jaama Tasavvur Ki Ahmiyat --
*★_ Deeni Fara'iz Ke Jaama Tasavvur Ki Ahmiyat ye hai k Agar insaan ko Ye maloom na ho k mera Rab mujhse Kya Chahta hai aur Mere Deen ka Mujhse kya Mutalba hai to Wo Un Deeni Fara'iz ki Adaygi ke Qabil na ho sakega Jo Us per Aa'id hote hai'n, Isi Tarah Agar Deeni Fara'iz ke bare me Hamara Tasavvur Naaqis ya Na mukammal ho, Yani Kuchh Fara'iz to maloom ho'n aur Unhe hum ada bhi kar rahe ho'n, Lekin Kuchh Fara'iz ka hume ilm hi na ho to Zaahir hai k Wo hum ada nahi kar Sakenge,*
*★_ Is Tarah is baat ka Shadeed Andesha hai k Agarche Apni Jagah hum Samajh rahe ho'n k humne to Apne Tamaam Fara'iz ada kiye hai'n Lekin Allah Ta'ala ki Taraf se Waha'n hume bataya jaye k Tumhari Zimmedariya'n Sirf Wohi nahi thi k Jo tumne poori ki hai'n balki Mazeed bhi thi'n aur unke Mutalliq Chu'nki hume ilm hi haasil nahi tha, Lihaza unse Mutalliq Hamari Karguzari Sifar Saabit ho aur hum Apne Tamaam tar Khuloos aur mehnat ke bavjood Nakaam qaraar paye'n,*
*★_ is masle ka Ek Doosra Rukh bhi Qabile Tavajjo hai, Jo Khawateen ki Zimmedariyo ke Ziman me Khaas Ahmiyat ka Haamil hai, aur wo ye k Hum Apne Zimme Khwa mkhwah Esi Zimmedariya'n le le'n jo Hamare Deen ne hum per Aa'id na ki ho'n, Ye baat bhi itni hi khatarnaak muztir aur Nuqsandah hai Jitni ki pehli baat,*
*★_ Kyunki insaan ke Amal ka Jazba basa Awqaat had se aage badh jata hai to wo galat rukh Akhtyar kar leta hai, iski bahut Aham Misaale mojood hai'n, Maslan Neki ka Jazba hi Duniya me Rehbaniyat jese Khilafe Fitrat Nizaam ko Vajood me lane ka Sabab bana, Jisnd bil Aakhir Ek Burayi ki Shakl Akhtyar kar li aur Bahut si Buraiyo'n ko janam diya aur iske Natije bahut hi Khofnaak hue,*
*★_ Rasulallah ﷺ ki Hayate Tayyaba ka ye Waqia badi Ahmiyat rakhta hai k Teen Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Jin per ibaadat guzari, Zuhad aur Taqwe ka bahut zyada galba ho gaya tha, Unhone Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma se Aan Hazrat ﷺ ki Nifli ibaadaat ke Mutalliq puchha k Aap ﷺ Raat ko kitni der tak Namaz padhte hai'n aur Mahine me kitne Nifli Roze rakhte hai'n?*
*★_ Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma ne unhe Aan Hazrat ﷺ ke Nifli Aa'mal ki Jo Kaifiyat batayi wo unhe Apne Tasavvur aur Gumaan ke Mutabiq bahut kam Nazar aayi, Taaham Unhone ye keh kar Apne Dil ko Tasalli di k Kaha'n hum aur Kaha'n Rasulallah ﷺ, Aap to masoom hai'n, Aapse to kisi Gunaah ka Sudoor ho hi nahi sakta aur Allah Ta'ala ki Taraf se Aapki magfirat ka vaada ho chuka, Lihaza Aapke Liye to itni ibaadat kifayat karegi Lekin hamare liye ye kaafi nahi hai,*
*★_ Chuna'che unme se ek Sahabi ne kaha k Mai'n to Saari Raat Namaz padha karunga aur Apni peeth bistar se nahi lagaunga, Doosre ne Tay kiya k Mai'n Hamesha Roza rakhunga aur kisi din bhi Naaga nahi karunga, Teesre ne kaha k Mai'n Ghar Grahsti ka bakheda mol nahi lunga aur kabhi Shaadi nahi karunga,*
*★_ Unki ye baate Rasulallah ﷺ tak pahunchi to Aapne unhe Talab farmaya - Kya Tum wo log ho Jinhone esi baate kahi hai'n? Allah ki Qasam Mai'n tumme Allah se Sabse Zyada darne wala hu'n aur Sabse Zyada uska Taqwa Akhtyar karne wala hu'n, Lekin Mai'n kabhi ( Nifli) Roza rakhta hu'n aur kabhi nahi rakhta aur Mai'n Raat ko Namaz bhi padhta hu'n aur Araam bhi karta hu'n aur Mai'n Aurto'n se Shadiya'n bhi karta hu'n, aur ( Jaan Lo k ) Jise meri Sunnat pasand nahi Uska Mujhse koi Talluq nahi,*
*"_ Ye Hadees Muttafiq Alaiha hai aur ise Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ne Rivayat kiya hai,*
*★_ Hadees Ke Aakhri Alfaaz- "Jise meri Sunnat pasand nahi Uska Mujhse Koi Talluq nahi," Bahut Jaame Alfaaz hai'n aur Unki Roshni me hume Zindgi ke Har Mod aur Har Goshe me ye dekhna Chahiye k Nabi Kareem ﷺ ka Tarze Amal Kya tha, Khawateen Ki Deeni Zimmedariyo Ke Ziman me Hume Sahabiyaat, Khususan Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma ki zindgiyo'n aur unke Tarze Amal ko peshe Nazar rakhna hoga,*
*★_ isliye k Khawateen ke Liye Aan Hazrat ﷺ ka Jo uswa mubarak hai wo Hum tak Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma hi ke Zariye se Pahu'ncha hai aur Aapne Aam tor per Sahabiyaat Raziyallahu Anhuma ko jo bhi Hidayaat di wo ummat ki Khawateen ke liye Misle Raah hai,'n*
*★_ insaan Jab Apne Zimme Khwah mkhwah Apni Zimmedari se badh kar Zimmedari le leta hai to uske Jo manfi ( negative) Asraat paida hote hai'n uske liye Mai'n mojooda Daur se ek misaal pesh kar raha hu'n, Aaj poori Duniya me Mukhtalif jamaato aur Tehreeko ke Zariye islami inqilab aur Aqamate Deen ke liye Ek Jaddo Jahad aur Koshish ho rahi hai, Esi Tehreeko ke Fikr me Baaz Awqaat ek Buniyadi galti ye paida ho jati hai k Wo Allah ke Deen ko Gaalib karne ko Apni Zimmedari Samajh lete hai'n,*
*★_ Hala'nki Waqia ye hai k Deen ko Gaalib kar dena hamari zimmedari nahi hai, balki hamari zimmedari ye hai k hum Allah ke Deen ko Gaalib karne ke liye Apni bharpoor koshish Kare'n aur us Raaste me Apne Tamaam Wasaa'il aur Salahiyato aur istedaad ko sarf kar de'n, Lekin agar hum ye Samajh le'n k hume ye kaam har haal me kar ke rehna hai to isse hamare Tarze Amal me ye bhi paida ho sakta hai k Agar Sahi Raaste se kaam nahi ho pa Raha ho to hum kisi galat raaste ko Akhtyar kar le'n, Chuna'che zimmedari ka ye galat Tasavvur bahut si Tehreeko ke galat rukh per pad jane ka Sabab ban gaya hai,*
*★_ Lihaza Jaha'n hume ye jaanne ki zarurat hai k ek musalman ki Deeni Zimmedariya'n kya hai'n aur Hume Koshish karni hai k unme se koi zimmedari hamare ilm aur Tasavvur se khaarij na reh jaye, Wahi'n hamari ye Koshish bhi honi chahiye k hum Khwah mkhwah Esi Zimmedariya'n mol na le le'n jo Allah Ta'ala ne hum per Aa'id na ki ho'n,*
*★_ Apne Fara'iz aur Zimmedariyo ke Ziman me Ek Musalman Ke peshe Nazar Hamesha ye Usool rehna chahiye k Allah ne us per kon konsi Zimmedariya'n Aa'id ki hai'n, Jab insaan Apni Asal Zimmedari se badh kar koi Zimmedari Apne Sar le le to Ek khatra ye bhi paida hota hai k kahi'n wo us Anjaam se Do chaar na ho jaye Jiska Zikr Surah Nisaa me aaya hai, Yani usne Jo Raasta khud hi Akhtyar kar liya, Fir Allah Ta'ala use Uske Hawale kar deta hai aur Fir Allah ki Taaied aur Nusrat Shamile Haal nahi rehti,*
*★_ Chuna'che hume ye dekhna hai k Allah ki Taraf se hum per kya Fara'iz aur Zimmedariya'n Aa'id ki gayi hai'n, Haququllah Ke Ziman me kin Huqooq ki Adaygi hamare Zimme hai aur Hamare Nafs ke Wo Huqooq Konse hai'n Jo Allah ne Mueen kar diye hai'n aur Wo hume ada karna hai, Allah ne iske liye jo Cheeze halaal farmayi hai'n unhi per hume iktifa karna hai, Agar hum Apne Nafs aur Tabiyat Ke Taqazo ki pervi karenge to ho Sakta hai k hum halaal se aage badh kar Haraam me Moo'nh maar le'n,*
*★_ isi Tarah insaano me se bhi Jiska Jo Haq Allah ne Mueen kar diya hai, Wo hume ada karna hai, Agar ye Usool peshe Nazar rahe to Raasta Seedha Saaf aur mehfooz rahega, Lekin agar humne isme Apni pasand, Zoq, Jazbe, Khayalaat aur Tasavvuraat ko Apna imaam bana liya to fir hum khuda na khwasta ( Fir Allah Ta'ala use Uske Hawale kar deta hai) ka misdaaq ban Sakte hai'n aur fir isme Shadeed Andesha hai k holnaak Anjaam se Do chaar ho jaye'n, Allah Ta'ala hume us Anjame Bad se bachaye !*
╥────────────────────❥
*⊙__Deeni Fara'iz Ki Satahe'n - Buniyad Imaan hai :-*
*★_ Fara'iz E Deen ke Jaama Tasavvur ki Wazahat ke Liye Ek Teen Manzila imarat ki Misaal Zahan me rakhe, Jisse Waqa'i is jaama Tasavvur ko Samajhna Asaan ho jata hai, Pehle Umoomi Alfaaz me Samajhna hai k Kaha'n Kaha'n wo Fara'iz Mardo'n ki Maanind Aurto'n per bhi Jo'n ke To'n Aa'id hote hai'n aur Kaha'n Kaha'n unme Farq hai,*
*★_ Ab Aap ek Esi Teen Manzila imaarat ka Naqsha Zahan me laye Jo Chaar Sutoono ( pillars) per qaa'im ho, uski Pehli Manzil ( Ground Floor) per Sirf yahi Chaar Nazar aate Hai'n aur Koi Diwaare Vagera nahi hai'n, Lekin Zaahir hai k Un Sutoono ke Niche Ek Buniyad ( Foundation) hai Jiske Ouper ye Charo Sutoon khade hai'n, Ek munasib bulandi per us imaarat ki pehli chhat mojood hai, Jisse pehli Manzil mukammal hoti hai, Uske Ouper Doosri Manzil hai, Jaha'n Per imarat to un Charo Sutoono per hi qaa'im hai, Magar Diwaare Tameer ho jane ki Vajah se Sutoon Nazar nahi aate, Balki Diwaaro ke Ouper Doosri Chhat Nazar aa rahi hai, isi Tarah uske Ouper Teesri Manzil hai, is imaarat me Aham Tareen Cheez iski Buniyad hai, Jis per Saari imaarat Ki Mazbooti ka Daromadaar hai,*
*★_ Buniyad ke baad Sabse Zyada Ahmiyat Charo Sutoono ko Haasil hai Jo us Saari imaarat ka bojh uthaye hue hai'n, Agar Ye Sutoon mazboot ho'nge to Ouper ki poori imaarat mazboot hogi aur Agar ye Kamzor honge to Ouper ki Saari imaarat kamzor reh jayegi, Ye Teen Manzila imaarat Hamare Deeni Fara'iz ke Jaama Tasavvur ki Naqsha Kashi kar rahi hai,*
*★_ is imaarat ki Buniyad Imaan v Yaqeen hai, Jiski Pukhtgi per imaarat ki Mazbooti ka Daromadaar hai, Ye Buniyad jitni Mazboot aur gehri hogi Ouper ki imaarat us qadar mazboot hogi aur Agar Ye Buniyad hi Kamzor hai to Ouper ki imaarat ke liye Agarche Bahut Achcha Material istemal kiya gaya ho aur uski Zaahiri Shape per bhi bahut Tavajjo di gayi ho, Ye poori imaarat kamzor rahegi,*
╥────────────────────❥
*⊙__Ibaadat Ahsaan aur Dawat :-*
*★_ is Buniyad per Jo Chaar Sutoon qaa'im hai'n wo Chaar Aham ibadaat hai'n Jo Allah Ta'ala ne Hum Musalmano ko Ata farmaye Yani (1) Namaz (2) Roza (3) Zakaat aur (4) Hajj_,*
*"_ Pehli Do ibadaat Yani Namaz aur Roza to Har Musalman per Farz hai'n, Jabki Doosri Do ibadaat Yani Zakaat aur Hajj Sahibe isteta'at Logo'n per Farz hai'n,*
*★_ Bahar Haal Ye Chaaro ibadaat un Chaar Sutoono ki Maanind hai'n Jin per is imaarat ki Chhate khadi hai'n, Pehli Chhat ko Aap islam, ita'at, Taqwa ya ibadaat E Rab ka naam de sakte hai'n, Yani is Satah per insaan Allah aur uske Rasool ﷺ ke Ahkaam ke aage Sar jhuka de, Sahi ma'ano me Allah ka Banda bane aur Apne Paida hone Ke Maqsad ko poora kare,*
*"_ Irshad E Baari Ta'ala hai ( Az Zariyaat-56) Yani Mai'ne Jinno aur insaano ko paida hi isliye kiya hai k Wo meri Bandgi kare'n _,*
*★_ Ye ita'at, Taqwa aur ibadaat Apni Bulandi ko pahu'nch jaye'n to Ye Darja Ahsaan hai, Yani Yaqeen ki ye Kaifiyat paida ho jaye k jese Banda Allah Ta'ala ko Apni Aankho'n se dekh raha ho, To ye hai us imaarat ki pehli chhat,*
*★_ iske baad Doosri Manzil ye hai k insaan Ab isi Cheez ki Doosro ko Dawat de, Allah ke Paigaam ko aam kare, Allah ke Kalam ko Logo'n Tak Pahu'nchane ki Sa'i v Koshish kare, Amr bil Ma'aroof aur Nahi Anil Munkar ka Fariza ( Yani Bhalayi Ka Hukm karna aur Burayi se Rokna ) Anjaam de, Logo'n per ye Hujjat qaa'im kar di jaye taaki Log Qayamat ke Din ye na keh sake k Parwardigar Hum tak to Tera Hukm pahu'ncha hi nahi, Teri Hidayat Hum tak kisi ne pahu'nchayi hi nahi, Ye Doosri Manzil hai,*
*★_ is imaarat ki Teesri Manzil jo Buland Tareen hai, Wo Aqamate Deen ki Manzil hai, iske Liye islami inqilab aur Tabeere Rab ki istelahaat istemal ki jati hai'n, Yani Allah ke Deen ko ek Mukammal Nizame Zindgi ki Haisiyat se qaa'im aur Raa'ij kar diya jaye aur Allah ki Kibriya'i ka Nizaam bil fail qaa'im ho jaye, is Maqasad ke Liye mehnat koshish, isaar, Maal kharch karna, Jaan khapana, Teesri aur Buland Tareen Manzil hai,*
╥────────────────────❥
*⊙__ (1) Pehli Manzil - Mard v Aurat Ke Liye Qariban Yaksa'n Zimmedariya'n:-*
*★_ Zimmedariyo ke aitbaar se Mard aur Aurat me Jo Farq v Tafawut hai Har Mard v Aurat ko inse Waaqif hona chahiye, Deeni Fara'iz ke Jaama Tasavvur ki jo imaarat hamare Peshe Nazar hai Uski Pehli Manzil Buniyad ke alawa Chaar Sutoono aur pehli Chhat per mushtamil hai, Buniyad Agarche imaarat Shumar nahi hoti lekin Ahmiyat ke aitbaar se wo Sabse badh kar hai, is pehli Manzil ke bare me ye kaha ja sakta hai k is Satah per Aurto'n aur Mardo'n ke Fara'iz Yaksa'n hai'n, Agar Koi Farq hai to wo bahut hi mamooli hai, imaan har Mard v Aurat ki Nijaat ke Liye Laazim hai,*
*★_ Surah Nisaa ki Aayat 124 me Sarahat ke saath farma diya gaya k Jo koi bhi Nek Aa'mal Akhtyar kare mard ho ya aurat aur wo momin bhi ho to ese hi log Jannat me dakhil ho'nge_,"*
*Goya imaan har Musalman Mard v Aurat ka Farze Awwaleen hai, iske baad Namaz har Mard v Aurat per Farz hai, isi Tarah Roza bhi Har Musalman Mard v Aurat per Farz hai,*
*★_ Zakaat ki Adaygi jis Tarah Sahibe Nisaab Mardo'n per Farz hai Usi Tarah Sahibe Nisaab Aurto'n per bhi Farz hai, Hajj ke Liye Zaade Raah Mayassar ho to ye bhi Musalman Mard v Aurat dono per Farz hai, Albatta iske liye Aurat ke Saath Mehram ka hona Zaroori hai,*
*★_ Fir ye k Allah ke Tamaam Ahkamaat aur uski Taraf se Aa'id karda Halaal v Haraam ki Pabandiya'n Mardo'n aur Aurto'n dono ke Liye hai'n, Algarz Allah aur uske Rasool ki ita'at aur Buniyadi Fara'iz ki Adaygi Dono ke Zimme hai, Ye Tamaam Cheeze dono me Mushtarak hai'n,*
*★_ Is Ziman me Mard v Aurat ke Fara'iz me Jo mamooli sa farq hai, iske Liye Mai'n Aapke Saamne Namaz ki Misaal rakh Raha hu'n, Mardo'n ke liye Hukm hai k wo Masjid me ja kar Ba Jama'at Namaz ada kare'n, ila ye k koi Uzr na ho, Jabki Khawateen ka maamla iske Bar Aks hai, Unke liye farmaya gaya hai k Aurat ki Namaz Masjid ke Muqable me Apne Ghar me Afzal hai, Ghar me bhi Sahan Ke Muqable me Dalaan me aur Dalaan ke Muqable me kisi kamre ke andar Afzal hai, aur Kamre ke andar bhi agar koi kothri hai to usme Namaz ada karna Afzal Tareen hai,*
*★_ Albatta Juma aur Eiden ki Namazo me istasna raha hai, isliye k us Zamane me Taleem v Talqeen ke aur Zaraye nahi they, na Kitaabe aur Risaale they, Lihaza Eiden aur Juma ki Namazo ke Saath jo khutba hai Wohi Taleem ka Waahid zariya tha, Chuna'che Huzoor ﷺ ne Khawateen ko un khutbaat me Shirkat ki Targeeb di k Wo Zaroor Shirkat kare'n, Taki wo Taleem v Talqeen se mehroom na reh jaye'n, Daure Nabvi me Khawateen ko Namaz ke liye Agarche Masjid me aane ki bhi ijazat thi, Fir bhi unhe Targeeb yahi di gayi k Apne Gharo me Namaz ki Adaygi unke liye Afzal hai aur ghar ke makhfi Tareen Hisse me Namaz ka Ajr v Sawab Mazeed badh jata hai,*
*★_ Bahar Haal is pehli Manzil Tak Musalman Mard v Aurat ke Fara'iz me koi bada Farq qat'an nahi hai aur in Zimmedariyo me Musalman Mard v Aurat dono Yaksa'n hai'n, is Ziman me Surah Ahzaab ki Teen Ayaat me Azwaaj Mutaharaat se Khitaab farmaya gaya hai, Pehli Aayat ka Talluq imaan ki Tehseel se hai Jo Mard v Aurat dono ka Awwaleen Farz hai,*
*★_ Haqeeqi ya Sha'oori imaan ka munabba v Sar Chashma Sirf aur Sirf Qur'an E Hakeem hai, Chuna'che iske padhne padhane, Seekhne Sikhane, is per Gor v Tadabbur aur iski Tilawat se insaan ke Andar imaan paida hota hai,*
*"_ Chuna'che Pehli Aayat me farmaya gaya- "Aur Zikr karti raha karo un Cheezo ka Jo Tumhare gharo me Allah Ki Ayaat aur Hikmat me se Tilawat ki ja rahi ho'n, Yaqinan Allah Ta'ala bahut hi Bareek been aur Ba Khabar hai _,*
*★_Ye Aan Hazrat ﷺ Ki Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma se Khitaab hai, Jinke Gharo me Wahi Naazil hoti thi aur Huzoor ﷺ Waha'n Qur'an E Hakeem ki Ayaat Padh kar Sunate they aur Hikmat ki Taleem dete they, Hikmat ka Sabse bada Khazana bhi Qur'an E Hakeem hai,*
*"_ Aur Aap ﷺ Ahadees Ki Soorat me Qur'an E Hakeem ki Wazahat farmate they To Ahadees Nabiya bhi Dar Asal Hikmat ke Azeem moti hai'n _,*
*★_ Goya in Ayaat me Sabse pehla Jo Hukm diya ja raha hai Wo Qur'an v Hadees ka Tazkira hai, Muzakra, Unki Dars v Tadrees, Unka Padhna Padhana aur Seekhna Sikhana hai, isliye k imaan ka Daro madaar isi per hai, isse Yaqeen ki Daulat milegi, isse Hamare imaan me gehrayi paida hogi aur isse imaan me istahkaam Aur Pukhtgi paida hogi,*
*★_ Lihaza ye pehla kaam hai jo Har Mard v Aurat ko karna hai aur Har Ek ko ise Apni Awwaleen Zimmedari Samajhna chahiye, Tarteeb ke aitbaar se har Musalman Mard v Aurat ko Apna pehla Farz ye Samajhna chahiye k use Apne imaan ko Mustahkam karna hai, isme zyada se zyada gehrayi paida karni hai aur Zyada se Zyada Sha'oor ka Asar Shamil karna hai, Mard ya Aurat hone ke aitbaar se isme koi farq v Tafawut nahi hai,*
*★_ Ab Agli Aayat ki Taraf aaye'n, is Muqam per ek lafz khaas tor per Dohra Dohra kar Mardo'n aur Aurto'n ke Liye Alhaida Alhaida laya gaya, Taaki Waazeh ho jaye k in Ausaaf aur Khususiyat ke aitbaar se Mardo'n aur Aurto'n ke darmiyan koi farq nahi hai,*
*"_ irshad hota hai (Tarjuma Surah Ahzaab -35) Beshak Musalman Mard aur Musalman Aurte'n, Momin Mard aur Momin Aurte'n, Farmabardari karne Wale Mard aur Farmabardari karne wali Aurte'n, Raast Baaz Mard aur Raast Baaz Aurte'n, Sabr karne wale Mard aur Sabr Karne Wali Aurte'n, Aajizi Karne Wale Mard aur Aajizi Karne Wali Aurte'n, Khairaat Karne Wale Mard aur Khairaat Karne wali Aurte'n, Roze Rakhne wale Mard aur Roze Rakhne Wali Aurte'n, Apni Sharmgaah Ki Hifazat Karne Wale Mard aur Hifazat karne Waliya'n, Ba Kasrat Allah ka Zikr karne wale aur Zikr karne Waliya'n ( in sabke liye ) Allah Ta'ala ne ( Wasee) magfirat aur bada Sawab Tayyar kar rakha hai,*
*★_ Is Aayat E Mubaraka me Das Sifaat Mardo'n aur Aurto'n Ke Liye Alag Alag Dohra kar Bayan ki gayi hai'n, Jo Darje zail hai'n:-*
*"_(1) Musalman Mard aur Musalman Aurte'n, Yani Allah ke Ahkaam ke Aage Sar Jhuka dene Wale Mard aur Aurate'n _,*
*(2)_ Ahle imaan Mard aur Aurte'n, Yani Allah, Uske Farishto, Uski Naazil karda Kitaabo, Uske bheje hue Rasoolo aur Aakhirat per imaan rakhne Wale Mard aur Aurate'n _,*
*★_(3) _ Farmabardar Mard aur Farmabardar Aurte'n, Jab koi Gulam Apne Aaqa ke Saamne Haath Baa'ndhe jhuk kar khada hota tha k Jese hi koi Hukm mile use Baja laye, To uski Ye Haalat Qunoot Kehlati thi, Namaz me Duae Qunoot wo Dua hai jo khade ho kar Maa'ngi jati hai, Varna Aam tor per Duae'n Qayda me Tashahud aur Darood Shareef ke baad Beth kar hi Maa'ngi jati hai'n,*
*★_ (4) Raast Baaz v Raast go Mard aur Raast Baaz v Raast go Aurte'n, Jo Baat ke bhi Sachche ho'n aur Amal ke Lihaaz se bhi Sachche ho'n,*
*"(5)_ Sabr Karne Wale Mard aur Sabr Karne wali Aurte'n, Sabr Ma'asiyat per bhi hai k Gunaah se khud ko roka jaye, Sabr ita'at per bhi hai k Jo Hukm bhi mile use Baja laya jaye, Maslan Chahe Shadeed Sardi ho aur Garam pani Mayassar na ho to Thande pani se Wazu kar ke Namaz padhi jaye, isliye k Namaz Farz hai aur iske liye Wazu Shart hai, Fir ye k islam per chalne me Jo Takaleef aur Mushkilaat pesh aaye unhe bardasht karna bhi Sabr hai _,*
*★_ (6) Aajizi Karne Wale Mard aur Aajizi Karne Wali Aurte'n, Yani Allah ke Saamne jhuk jane Wale Mard aur Aurte'n, Khushu Jhukaav ya Farmabardari ki Kaifiyat ko kehte hai'n,*
*"_(7) Sadqa v Khairaat Karne Wale Mard aur Sadqa Khairaat Karne wali Aurte'n, Yani Jo Allah ki Raza ke Liye Apna pet kaat kar Doosro per Kharch karte hai'n, Sadqa v Khairaat me Zakaat bhi Shamil hai Jo har Sahibe Nisaab per Farz hai aur Digar Nifli Sadqaat bhi,*
*"_(8) Roza Rakhne wale Mard aur Roza Rakhne wali Aurte'n, Not kijiye k in Sifaat me imaan ke Alawa Namaz, Roza aur Zakaat jese Arkaane islam bhi aa gaye hai'n _,*
*★_ (9) Apni Sharmgaho ( Aur Asmat v iffat) ki Hifazat karne Wale Mard aur Hifazat Karne Wali Aurte'n, iffat v Asmat ki Hifazat Mard aur Aurat dono ke liye Zaroori hai aur is Ziman me islam dono per Yaksa'n Pabandiya'n Aa'id karta hai,*
*"_(10) Allah Ka Zikr Kasrat se Karne Wale Mard aur ( Allah Ka Kasrat se) Zikr karne Wali Aurte'n _,*
*★_Agli Aayat me Aakhri baat Do Took Andaz me bayan farma di gayi Jo is Pehli Manzil ka Khulasa aur Labo Lubab hai:-(Surah Ahzaab -36) :-*
*"_ Aur Kisi Momin Mard aur Kisi Momin Aurat ke Liye ye Jaa'iz nahi hai k Jab Allah aur Uske Rasool ﷺ ( unke bare me ) kisi maamle ka faisla kar de'n to fir bhi unke paas is baat me koi Akhtyar baqi reh jaye, aur Jisne Allah aur Uske Rasool ki Nafarmani ki to Sareeh Gumrahi me pad gaya,*
*★_ Yani Musalman aur Momin Mardo aur Aurto'n ka Tarze Amal ye hona chahiye k Jab Kisi Maamle me Allah aur Uske Rasool ka Hukm ya Faisla aa gaya to Ab unke Apne intekhab ya Akhtyar ko koi gunzaish baqi nahi rehti, aur Agar koi iske Bar Aks Ravayya Akhtyar karta hai to yahi Ma'asiyat aur Nafarmani hai aur Haqeeqat ke aitbaar se kufr hai, aur jo Allah aur uske Rasool ﷺ ki Nafarmani ki Raah Akhtyar karenge, chahe wo Mard ho ya Aurat to wo bhi badi Sareeh Gumrahi ke andar mubtila ho gaye, Ye goya k islam, ita'at aur ibaadat ka Labo Lubab hai,*
*★_ islam kya hai ? Allah aur uske Rasool ﷺ ke Ahkaam ke aage Sar jhuka dena !*
*"_ ita'at kya hai ? Allah aur Uske Rasool ﷺ ki Farmabardari !*
*"_ ibaadat kya hai ? Hamatan aur Har Waqt Allah hi ka Banda ban jana !*
*"_ in Tamaam Cheezo me Kaa'nte Ki baat ye hai k Jaha'n Allah aur Uske Rasool ﷺ ka Hukm aa gaya Waha'n hamara Akhtyar khatm !*
*★_ Haa'n Agar kisi maamle me Allah aur uske Rasool ﷺ ka Waazeh hukm mojood nahi ho to Goya k Allah ne Hume ye Akhtyar de diya hai k Yaha'n hum Apni marzi Faham Zoq aur Mizaaj ke Mutabiq maamla Tay kar le'n, Lekin Jaha'n Do Took hukm aa chuka fir bhi insaan ye Samjhe k mere paas koi Akhtyar ya option hai to ye goya k islam aur imaan ke manafi baat hogi,*
*★_ Ye pehli Manzil hai Jaha'n Per Deeni Zimmedariyo ke aitbaar se Mard v Aurat me bahut mamooli farq hai, Lekin Jese Jese Hum Ouper chale jayenge ye farq badta chala jayega, Pehli Manzil per ye farq bahut thoda hai, Doosri Manzil per bahut Numaya hai, Jabki Teesri Manzil per ja kar ye farq bahut badh jayega, Hume is farq ki Buniyad ko Samajh lena chahiye,*
╥────────────────────❥
*⊙_ Islam aur Sharm v Haya :-*
*★_ islam Sharm v Haya aur Asmat v iffat ki intehayi Ahmiyat bayan karta hai, islam Chahta hai k Ma'ashre me in Cheezo ki khoob Hifazat ho, Yahi wo Asal aur Maqsad hai jiske Tahat Satar v Hijaab aur Libaas ke Ahkaam diye gaye aur is Maamle me Mard v Aurat me farq rakha hai, Hijaab aur Parde ke Ahkamaat Khaalis Aurto'n ke Liye hai'n aur unme bhi Mehram aur Na-Mehram ka Farq rakha gaya hai, Surah Noor me is Talluq se Ek Taveel Aayad Vaarid hui hai,*
*★_ Is Waqt Satar v Hijaab ki Buniyad per is Farq v Tafawut ko Waazeh karne ka Maqsad ye hai k Deeni Fara'iz ke Ouper ki Jo Do Manzile hai'n unme Mard v Aurat me Jo Farq v Tafawut hai Wo Aslan isi Buniyad per hai k Ma'ashre me Sharm v Haya ka Mahol barqarar rahe aur Asmat v iffat aur Paak Damani ki poori poori Hifazat ka Bandobast Kiya jaye,*
*★_ Pehli Manzil per bhi jo Farq hai wo is Buniyad per hai k islam ye nahi chahta k Mardo'n aur Aurto'n me bila Zarurat koi ikhtilat ya Aapas me milna julna ho, Chuna'che islam dono ke liye Alhaida Alhaida Daayra qaa'im karta hai aur Dono ki Zimmedariya'n aur Fara'iz ka Alhaida Alhaida Taa'een Karta hai,*
*★_ Namaz ke Ziman me Aakhir ye Farq kyu kiya gaya k Mardo'n ki Namaz Ghar ki nisbat masjid me Afzal hai, Jabki Aurat ki Namaz Ghar ke andar aur Ghar ki bhi Andruni kothari me zyada Afzal hai aur Masjid me unki Aamad Pasandida nahi hai, iska Sabab yahi hai k isme ikhtilat Mel jol ka ek imkaan paida hota hai, Raaste chalte, Masjid ko aate jate Mardo'n se mulaqaat hona, Masjid ke andar bhi chahe kitna hi Ahatmam kar liya jaye Magar iska Andesha rehta k Kahi'n koi behijabi ki Kaifiyat paida na ho jaye ya kisi Mehram ki Nazar na pad jaye,*
╥────────────────────❥
*⊙__(2) Doosri Manzil - Dawat Tableeg Ke Teen Daayre-_,*
*★_ Doosri Manzil per Dawat v Tableeg ki zimmedari hai, iske Ziman me hamare Deen ne jo Aam Tarteeb Sikhayi hai wo Ye Usool hai k islah ka kaam pehle Apne Aapse Shuru kiya jaye, Fir Apne Ghar Walo ki islah ki Fikr ki jaye aur uske baad Doosre Logo'n per Dawat v Tableeg ka kaam kiya jaye, Lekin Agar koi Shakhs Saat Samandar paar ja kar Tableeg kar raha ho Jabki uske Apne Ghar me Deen ka maamla Tasalli Bakhsh na ho to Dar Haqeeqat ye Galat Tarteeb hai, Jiski Vajah se wo Barkaat Zaahir nahi hoti jo Nabi Kareem ﷺ aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Tableeg se Zaahir hui,*
*★_ Ab is Tarteeb ko Saamne Rakhe'n to ek Natija ye Nikalta hai k Khawateen ke Liye Dawat Tableeg, Nasihat aur islah ka Awwaleen Daayra unka Apna ghar hai, unke Apne Bachcho ki Taleem, Tarbiyat aur islah karna unki zimmedari hai, isse Aage badh kar Khawateen ka Halqa aur isse Mazeed aage Mehran Mardo'n ka Halqa aayega, Bas in Teen Halqo me Khawateen ko Dawat Tableeg ke Fara'iz Sar Anjaam dene hai'n,*
*★_ Sabse Pehle Halqe ke bare me Surah Tehreem me farmaya gaya- Apne Aapko aur Apne Ghar Walo ko jahannam ki Aag se bachao ! Is Ziman me Rasulullah ﷺ ki ye Hadees bhi peshe Nazar rehni chahiye, Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu kehte hai'n k maine Rasulullah ﷺ ko ye farmate suna - Tumme se har Shakhs Galla baan hai aur Tumme se har Shakhs Apna Galle ke bare me jawabdah hai, Yani Jis Tarah har Charwahe ki zimmedari me kuchh Bhed Bakriyo per mushtamil Ek Galla hota hai aur Wo Charwaha Ghar se us Galle ko le jane aur Ba Hifazat Waapas lane ka Zimmedar hota hai, Usi Tarah Har Shakhs ki Haisiyat Ek Galleban ki si hai aur Jo kuchh uske Charge me hai, uske bare me Sawal ka Zimmedar hai,*
*★_ Chuna'che Aan Hazrat ﷺ ne irshad farmaya - Aur Aadmi Apne Ghar walo per Nigra'n hai, aur wo Apni us Raiyat ke bare me jawabdah hai, Yani usse Allah ke Yaha'n ye puchha jayega k us per uske Ghar Walo ki islah v Tarbiyat aur Doosre Huqooq ki Adaygi ki jo zimmedari daali gayi thi wo usne kis had tak ada ki, Iske baad Huzoor ﷺ ne farmaya - Aur Aurat Apne Shohar ke ghar per Nigra'n hai aur usse uski Raiyat ke Mutalliq puchha jayega _,
*★_ Aur Zaahir baat hai k Uski Raiyat me uski Aulaad Uska Misdaaq Awwal hai aur Ek Rivayat me to Alfaaz hi ye aaye hai - Aur Aurat Apne Shohar ke Ahle khana aur uski Aulaad per Nigra'n hai aur Wo unke bare me jawabdah hai _,*
*"_ Yani uske ghar ke digar Afraad aur Bandiya'n aur Gulam vagera bhi uski Nigrani aur Zimmedari me ho'nge, Magar Asal Zimmedari Aulaad ki hai, ( Ye Hadees Sahih Bukhari ki hai aur zara se Lafzi ikhtilaf ke Saath ise Muslim, Tirmizi aur Abu Dawood ne bhi Rivayat kiya hai ),*
*★_ Ye Maamla Waqiatan Nihayat aham hai, Kyunki Agar Hum gor kare'n to kisi bhi Qaum ka Mustaqbil uski Aainda Nasl se Wabasta hai aur uska Saara Bojh Allah Ta'ala ne Aurat per daala hai, Uski Paidaish ke alawa uski Parwarish ka bhi Asal bojh Aurat hi per hai, Wohi to hai k Jo Bachcho ki Parwarish ki khatir Sabse badh kar Apni Neende Haraam karti hai aur Apne Araam ki Qurbani deti hai, Fir unki Taleem ki Awwaleen Zimmedari bhi usi per Aa'id hoti hai, Bachche ki Sabse pehli Taleemgaah Dar Haqeeqat Maa'n ki God hai,*
*★_ Bachche ko God me le kar Maa'n jab Qur'an padhti hai to Bachcha use Sunta hai, Ye Cheeze Gair Mehsoos Tareeqe se muntaqil hoti hai'n, Aakhir hume ye Taleem di gayi hai k Bachcha jab paida ho to uske Daa'nye Kaan me Azaan aur Baa'nye kaan me Aqamat kahi Jaye to to Uska Koi na koi Asar to Laazmi hota hai, Ye to ho hi nahi Sakta k Hume koi hukm diya gaya ho aur uski Koi Afadiyat ya illat na ho,*
*"_ isi Tarah Agar Ek Maa'n Apne Bachche ko God me liye bethi Qur'an ki Tilawat kar rahi ho to mumkin nahi hai k us Qur'an ke Asraat Bachche ki Shakhshiyat per na pade,*
*★_ To Khawateen ki Sabse badi Zimmedari Apni Aulaad ki Tarbiyat hai, aur Unki Sabse Kada Sawal Aulaad hi ke bare me hogi, Lihaza is Aham zimmedari ki Qeemat per yani isko Nazar Andaz karte hue ya usme Kotaahi karte hue koi aur kaam karna qat'an Jaa'iz nahi hai, Albatta Agar Allah Ta'ala ese halaat paida kar de k Aulaad ki Zimmedariyo ko poora karne ke baad bhi Waqt Bach Raha ho to fir unhe mazeed mehnat karni chahiye, Khaas Tor per Jawan Khawateen, Jinke Bachche Abhi Chhote ho'n aur Aulaad ki Paidaish ka Silsila abhi jaari ho, Aaj ke daur me unki Zimmedariya'n itni kathin hai'n k Unhe poora karne ke baad bahut kam waqt bachta hai, Lekin jo bhi waqt bache Wo Araam ki Qurbani de'n aur Doosre Qareebi Halqo me Dawat ka kaam kare'n, Lekin iski Khaatir Aulaad ko Nazar Andaz karna Qat'an Jaa'iz nahi,*
*★_ Apni Aulaad Ki Taraf se Be tavajjohi aur Laparwahi ka Natija ye Nikalta hai k Unki Tarbiyat sahi tor per nahi ho pati aur La muhala Mahol ke Asraat un per murattab ho kar rehte hai'n aur Unki Zehniyat v Khayalaat Ma'ashre ke Rang se Laazman mutassir hote hai'n, aur Aaj ka Bachcha To ilhaad, Kufr, Behaya'i aur iryani in sab Kharabiyo'n ki zad me hai, Mobile internet Social Media TV uske Saamne hai aur Wo unki Yalgaar ki Zad me hai,*
*★_ Jaha'n Tak Doosre Daayre Yani Ghar se bahar Nikal kar Doosri Khawateen me Dawat v Tableeg aur Dars v Tadrees ka Talluq hai to Mere Khayal me iske liye Munazzam Koshish Waqt ki Aham Zarurat hai, Albatta iske liye Esi Khawateen ko Zyada Fa'al hona chahiye Jo Adhed umr ki hai'n, Aur unke Liye Hijaab ke Ahkamaat me bhi Wo Shiddat nahi hai, Badi Umr ki Khawateen ke liye Surah Noor ( Aayat-40 ) me farmaya gaya k un per koi Harj nahi Agar Wo Apni Chaadre utaar kar rakh bhi diya Kare'n! Yani Satar ki Shiddat to barqarar rahegi magar Parde aur Hijaab ke Ziman me un per Ab wo Shiddat Pabandiya'n nahi hai'n Jo Ek Nojawan Aurat per hai,*
*★_ Esi Khawateen ke Paas Agar Waqt Faarig ho to unhe Deen ke Kaamo me zyada Hichkichana nahi chahiye, Taveel Safar ke liye to Zaahir hai k Mehran ka Saath hona zaroori hai, Magar Shehro ke Andar agar Khawateen ke Apne Halqo me Dawat v Tableeg ke Liye Naqal v Harkat ho rahi ho to unhe Apne Tamaam Ahatyaat ke Saath un Deeni Umoor me Zaroor hissa lena chahiye,*
*★_ Jaha'n tak jo Jawan Ladkiyo'n ka Talluq hai, unke Liye isme bhi bade Khatraat hai'n, is Ma'ashre me unka Akele bahar nikalna Sire se Jaa'iz nahi, Wo Khawateen Jin per Aulaad vagera ki Zimmedariya'n na ho ya is Ziman me Apni Zimmedariya'n ada karne ke baad bhi unke Paas Waqt Faarig ho to Satar v Hijaab ki poori pabandi karte hue in Sargarmiyo me Hissa le sakti hai'n, Basharte k jab bahar nikle to Mehram Saath ho,*
*★_ Mai'n Samajhta hu'n k is Waqt hum Jis Ma'ashrati Toofan se do chaar hai'n, Usme jab tak koi Munazzam Koshish nahi hogi, Mahol ke Asraat se bachna mushkil hai, Chuna'che Mazkoora baala Shari'at ke Saath Khawateen agar Apna Halqa Munazzam kare'n, Unke Apne ijtimaat aur Taleem ka Nizaam qaa'im ho, Jisme Taleem v Tallum Qur'an v Arbi Zubaan ki Dars v Tadrees ke Alawa Dawat v Tableeg aur Tazkeer v Talqeen ka Ahatmam ho to ye Yaqinan matloob hai,*
*★_Khawateen Ki Taleemi v Tarbiyati aur Dawati v Tableegi Sargarmiyo ka Teesra Halqa unke Mehram Mardo'n per mushtamil hai, Yani unke Bhai, Waalid, Chacha, Mamu, Bhatije, aur Bhaanje vagera, Yaha'n ye Wazahat zaroori hai k Shohar ke Bhatije, Bhanje Mehram nahi, Na-Mehram hai'n, To Mehram Mardo'n me Dawat v islaah ka kaam bhi hona chahiye,*
*★_ iske Liye Esa Aksar dekhne me aa raha hai k Hamari jo Pichhli Nasal hai, Us per Magrib ke Asraat zyada hai'n, Ab Jabki Deeni Jama'ato aur Tehreeko ke Zariye Deen ka Charcha har Tabqe me badh gaya hai to Hume Nazar aata hai k Nojawan Ladko ke Chehre per Dadhiya'n hai'n Lekin unke Waalid aur Dada Clean Shave Nazar aate Hai'n, Ye Ulti ganga isliye beh rahi hai k is Nojawan Nasal per Tableegi Jama'at aur Digar Deeni Tehreeko ke Asraat pade hai'n, Jabki pichhli Nasal in Asraat se Khali hai,*
*★_ isi Tarah Ab Nojawan Nasal ke Andar Esi Ladkiyo'n ki Tadaad Zyada Nazar aati hai jo Satar v Hijaab ki pabandi karna Chahti hai'n, Lekin unke Walden ke Yaha'n ye Tasavvur nahi hai, To unke Liye Apne Waalid, Bhaiyo'n aur Digar Mehramo ko Tableeg karna aur unko Sahi Raaste ki Taraf bulana muqaddam hai, Aurat ke liye ye Dawat Tableeg ka Teesra Maidan hai,*
*★_ Jo Nojawan Ladkiya'n aur Khawateen Ghar Ghar ja kar Dawat v Tableeg ke liye Raabte karti hai'n, Agarche wo ye kaam Parde ke Saath karti hai'n, Jo Apni Jagah Qabile Tareef Baat hai lekin Nojawan Bachchiyo ka is Tarah Ajnabi gharo me Jana badi Na Munasib baat hai, Kyunki Hamara Deen Khawateen ko Ajnabi Aurto'n ke Saath Mel Jol se bhi mana karta hai, Musalman Khawateen ke Liye Ajnabi Aurte'n bhi Mehram nahi hai'n _,*
*★_ Kyunki Surah Noor me Mehramo ki Jo Fehrist aayi hai usme farmaya gaya Apni Aurte'n, Jaani pehchani Aurte'n, Ma'aroof Aurte'n Jinke Kirdaar ke bare me maloom hai k Shareef Khawateen hai'n, Varna ho Sakta hai k koi Ajnabi Aurat jo ghar me chali aa rahi ho kisi buri Niyat se aa rahi ho, to islam ki Ru se Ajnabi Aurto'n ko Apne Gharo me bhi is Tarah be muhala dakhil hone ki ijazat nahi di ja Sakti, Isme Yaqinan bahut se Fitne aur Khatraat mojood hai'n, Bhar haal Dawat v Tableeg ki Ziman me Ek Musalman Khatoon ke liye Yahi Teen Daayre hai'n,*
╥────────────────────❥
*⊙_(3) Teesri Manzil - Aqamate Deen Ki Jaddo Jahad aur Khawateen :-
*★_ Ab Aaiye Teesri Manzil ki Taraf, Ye Aqamate Deen ki Manzil hai, Lekin Ye wo Zimmedari hai Jisse intehayi Naguzer Halaat aur Hungami Soorate Haal Ke Siva Allah ne Khawateen ko Bari Kiya hai, is Ziman me Jo Mugalta hai use Samajhna Zaroori hai,*
*★_ Hazrat Asma binte Yazeed ( Raziyallahu Anha) ka Waqia is Ziman me bahut Aham hai, Hamare Yaha'n bahut si Khawateen me jab Deeni Jazba paida hota hai to Wo Apni Hudood se Tajawuz kar Jati hai'n, aur Ye Khawateen Khud Deen Ki Taraf se Aa'id karda Pabandiyo'n ki Ri'ayat na rakhte hue Apni Gharelu Zimmedariyo me Kotaahi karte hue aur Bachcho ki Parwarish ke Farize ko pamaal karte hue Deen ka Kaam karna Chahti hai'n, Esi Khawateen ke Liye Seerat ka Ye Waqia Nihayat faisla Kun aur Sabaq Amooz hai,*
*★_ Hazrat Asma binte Yazeed Ek Ansariya Khatoon hai'n aur Mash'hoor Sahabi Hazrat Maa'z bin Jabal Raziyallahu Anhu ki foofizaad Behan hai'n, inke Mutalliq Rivayat hai k Wo Ek Martaba Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hui'n aur Arz kiya k Mujhe Aurto'n ki Ek Jama'at ne Apna Numainda bana kar bheja hai, Wo Sabki Sab Wohi Kehti hai'n Jo Mai'n Arz karti hu'n aur Sab Wohi Raay Rakhti hai'n Jo Mai'n Aapke Saamne pesh kar rahi hu'n, Arz ye hai k :-*
*★_ Aapko Allah Ta'ala ne Mardo'n aur Aurto'n dono ke Liye Rasool bana kar bheja hai, Chuna'che hum Aap per imaan laayi'n aur Humne Aapki pervi ki, Lekin hum Aurto'n ka Haal ye hai k Hum Pardo ke andar rehne Waliya'n aur Gharo ke andar bethne Waliya'n hai'n, Hamara kaam ye hai k Mard humse Apni Khwahish poori kar le'n aur hum Unke Bachche laade laade Fire'n, Mard Juma v Jama'at, Janaza, Allah ke Raaste me Har Cheez ki Haazri me humse Sabqat le gaye, Wo Jab Allah ke Raaste me jate hai'n to hum unke Ghar Baar ki Hifazat karti hai'n aur unke Bachcho ko Sambhalti hai'n, To kya Ajar me bhi humko unke Saath hissa milega?*
*★_ Aan Hazrat ﷺ ne unki ye Faseeh v Baleeg Taqreer Sunne ke baad Sahaba ki Taraf Mutavajjah ho kar farmaya - Kya Aap Logo'n ne isse zyada bhi kisi Aurat ki Umda Taqreer suni hai, Jisne Apne Deen ki babat Sawal kiya ho ?*
*"_ Tamam Sahaba ne Qasam Kha kar iqraar kiya k Nahi Ya Rasulullah ﷺ, iske baad Aan Hazrat ﷺ Hazrat Asma ki Taraf Mutavajjah hue aur farmaya :-*
*★_ Ey Asma ! Meri madad karo aur Jin Aurto'n ne Tumhe Apna Numainda bana kar bheja hai un tak mera ye jawab Pahu'ncha do k Tumhara Achchhi Tarah khanadaari karna, Apne Shoharo ko khush rakhna aur unke Saath Saazgaari karna Mardo'n ke un Saare kaamo ke barabar hai Jo Tumne bayan kiye hai'n _,*
*"_ Hazrat Asma Raziyallahu Anha ne Rasulallah ﷺ ki ye baat sun kar Khush khush Allah ka Shukr ada karti hui Waapas lot gayi'n aur unhone is per kisi inqibaaz ka izhaar nahi kiya,*
*★_ is Waqie me Hamari Khawateen ke Liye ye Sabaq hai k Hamari mehnat v koshish ka Asal Maqsad to ye hai k hum Allah ke Yaha'n Apni Zimmedariyo se bari Zimme ho jaye'n, Allah Ta'ala ne Agar koi Zimmedari hum per daali hi nahi to Khwah mkhwah Apne Ouper us Zimmedari ka bojh laad lena Apni jaan per zulm karna hai, aur Ye Esa Tarze Amal hai k koi Shakhs Agar Kisi Esi Zimmedari ko Akhtyar kar le Jiska usko Hukm nahi kiya gaya to fir Allah Ta'ala bhi use us Zimmedari ke Hawale kar deta hai aur fir usme Allah ki Madad, Nusrat aur Taaied Shamile Haal nahi hoti, aur Aadmi Agar Had se Tajawuz kar jaye to Andesha hai k Jannat ki Taraf Jane ke bajaye Jahannam ki Taraf pesh Qadmi ho jaye,*
*★_ Albatta Khawateen se Mutalba ye hai k Wo is Mehnat me Mardo'n ki Mueen v madadgaar ho'n, Bachcho ki Parwarish aur Taleem v Tarbiyat ko Apni Zimmedari Samjhe aur Mardo'n per iska zyada bojh na padne de'n aur Mardo'n ke Liye is Raaste me Zyada se Zyada waqt Faarig karna mumkin banaye'n, Un per Apni Farma'isho ka bojh is tarah na laade k Wo inhi Masa'il me ulajh kar reh jaye'n aur Deen ki Sar bulandi ke liye Koshish na kar sake'n,*
*★_ Khawateen Agar in Umoor ko madde Nazar rakhte hue Shoharo se Tawoon kare'n to ye unki Taraf se Aqamate Deen ki koshish ka Badal ban jayega aur Unke Liye Ajre Kaseer aur Sawabe Azeem ka Baa'is hoga aur Khawateen ke Liye isse badh kar khush Aainda baat aur kya ho Sakti hai k Unhe Ghar bethe bithaye Mardo'n ke barabar Ajro Sawab mil jaye,*
╥────────────────────❥
*⊙__Mardo'n aur Khawateen Ki Bayt Ka Farq :-
*★_ Mardo'n aur Aurto'n Ke Deeni Fara'iz ke Ziman me Ek Aham farq Bayt ka hai, Aapke ilm me Hoga k Aan Hazrat ﷺ ne Aqamate Deen ke liye Jo Bayt Li wo Sirf Mardo'n se li, Jo Bahut Sakht Bayt hai, Ye Bayte Uqba Saniya Kehlati hai, Jisme Har Haal me Ameer ke Hukm ki Pabandi Ka Ahad hai, Khwah Tangi ho Khwah Asaani aur Khwah Tabiyat iske liye Amaada ho, Khwah Tabiyat per Jabar karna pade, Fir isme Darja ba Darja Tamaam Ameero Ke hum ki Pabandi karna bhi Shamil hai,*
*★_ Lekin Jaha'n Tak Khawateen ki Bayt ka Talluq hai to Agarche Bayte Uqba Saniya ke Ziman me to na Sarahatan Mazkoor hai k Wo is Bayt me Shareek nahi thi, na hi ye k unse Koi judagana Bayt Li gayi ho ( Halanki us moqe per Do Khawateen ki mojoodgi Qata'i Tor per Saabit hai ) Albatta Qur'an v Sunnat me Khawateen ki Jo Bayt Mazkoor hai wo Dar Asal Neki aur Taqwa ki Bayt hai, Jo Kufr v Shirk, Buraiyo'n, Haraam Kaamo, Jhoot, Chori, Zina aur Tohmat v Bohtaan Tarashi ke Saath Saath Aan Hazrat ﷺ ki Nafarmani se ijtinaab ke Ahad per Mushtamil hai,*
*★_ Aur iske Alfaaz Taqriban Wohi hai'n Jo Bayte Uqba Saniya se Ek Saal pehle Hone Wali Bayte Uqba Awla ke Ziman me Vaarid hue hai'n, Jo Yasrib ke 12 Musalman Mardo'n se li gayi thi, isse Saabit hota hai k Jama'ati Nizaam ki pabandi ke maamle me Mardo'n aur Aurto'n ki Zimmedari Yaksa'n aur Barabar nahi hai aur iska Barahe Raast Talluq hai is Haqeeqat se k Fara'iz E Deeni ki Teesri aur Buland Tareen Manzil yani Aqamate Deen ki Mehnat me Khawateen ki Zimmedari Barahe Raast nahi, Bil Waasta hai,
╥────────────────────❥
*⊙__Jama'ati Zindgi... Dono Ke Liye Zaroori!*
*★_ Jaha'n tak Ek Jama'ati Zindgi ka Talluq hai uske bare me Mera Ahsaas ye hai k Jis Tarah ye Mardo'n ke Liye zaroori hai Usi Tarah Khawateen Ke Liye bhi Zaroori hai, isliye k Jama'ati Zindgi me ek Barkat hai, isse Neki v Bhalayi ka Mahol paida hota hai aur Doosre Saathiyo ko Achchhe Kaamo aur Nekiyo'n me Aage badhte dekh kar Apna Hausla bhi badhta hai,*
*★_ Jab Aap dekhte hai'n k Aapke Kisi Rafeeq Ya Rafeeqa ne Apne Ghar me hone Wale kisi Galat Kaam ko Tark kar diya hai ya Tark karwa diya hai, to Aapme bhi Esa karne ka Jazba aur Hausla paida hota hai, Chuna'che Jama'ati Zindgi ki Barkato aur Faydo se Aurto'n ko bhi Mehroom nahi rakha gaya, iske Liye Surah Tauba ki Aayat Ka Muta'la kijiye, Farmaya- Momin Mard aur Momin Aurte'n Aapas me Ek Doosre ke Madadgaar hai'n, Wo Neki ka Hukm dete hai'n aur Badi se Rokte hai'n, Namaz qaa'im karte hai'n, Zakaat ada karte hai'n aur Allah aur uske Rasool ki ita'at karte hai'n, Ye Wo hai'n k Jin per Allah Ta'ala Raham farmayega, Yaqinan Allah Ta'ala Zabardast aur Hikmat wala hai_,*
*★_ Aur ye Jama'ati Mahol ki barkato hi ka mazhar hai k Huzoor ﷺ ne Khawateen se bhi Bayt Li, Natijatan Khawateen me bhi ye Ahsaas paida ho gaya k Hum Ek ijtimaiyat me Shareek hai'n, Hamara kisi ke Saath koi Rabt v Talluq hai, Hume inke Ahkamaat Sun kar Un per Amal karna hai, Neki ke kaam karna hai, Kyunki humne Qaul v qaraar kiya hai, isse khud Ahatsabi ka Jazba bhi paida hota hai k Ab Agar hum ye kaam nahi kar rahe to Goya Apne Ahad ki Khilaaf Varzi kar rahe hai'n _,*
*★_ Chuna'che Huzoor ﷺ ne Hazrat Maa'z bin Jabal Raziyallahu se ek martaba farmaya tha, mere Qareeb aa jao, Fir farmaya, mere aur Qareeb aa jao! To is Tarah hume koshish karni chahiye k Huzoor ﷺ ka Jo Tareeqa v Uswah tha usse Qareeb se Qareeb Tar rehne ki imkani koshish jaari rakhe'n, Allah Ta'ala hume in Zimmedariyo ko Kama Haqqa ada karne ki Himmat aur Tofeeq ata farmaye jo usne hum per Aa'id ki hai'n!*
*$_____ Alhamdulillah Post Mukammal hui _,*
*📗 Muslim Khawateen Ke Deeni Fara'iz (Dr israr Ahmad Sahab )*
╥────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/DAloyOp8VLHBqfy4b0xcnE
*👆🏻 What's app All Post Ke liye Join Kijiye _,*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻 Follow WhatsApp Channel _,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments