┏┅●◑●
*┣━●RABIUL AWWAL-JALSE -JULOOS*
┗┅●◑━━━●
┏───────────────────┯
*✿☞ Nabi Kareem ﷺ Ka Zikr Mubarak✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Nabi Kareem ﷺ ka Zikr Mubarak insaan ki Azeem tareen Sa’adat he aur is roo e zameen per kisi ka bhi Tazkira itna ba’ise ajr v sawab ,itna Ba’ise khair v barkat nahi ho sakta jitna Sarkare Do Aalam Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ka Tazkira ho sakta he,*
*✪_ Lekin Tazkire ke Saath Saath in Seerate Tayyaba ki Mehfilo me humne Bahut si ESI Galat Baate Shuru kar di hai'n Jinki vajah se Zikr Mubarak ka sahi faayda aur Sahi samrah Haasil nahi ho raha hai,*
*✪_ in galtiyo me ek galti ye hai k Humne Sarkare do Aalam ﷺ ka zikr Mubarak sirf ek mahine yani Rabiul Avval ke Saath khaas kar diya hai aur Rabiul Avval ke bhi Sirf ek din aur ek Din me bhi sirf chand ghante Nabi Kareem ﷺ ka zikr karke hum ye samajhte he’n k Humne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka haq Ada kar diya he,*
*✪_ Ye Huzoor Aqdas ﷺ ki Seerate Tayyaba ke Saath itna bada Zulm hai k isse bada zulm Seeeate Taiyaba ke saath koi aur nahi ho sakta,*
┏───────────────────┯
*✿☞_Seerate Taiyaba aur Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum ✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Sahaba Ikraam Raziyallahu Anhum ki poori zindgi me kahi ye baat Aapko nazar nahi aayegi, aur na aapko iski ek misaal milegi k unhone 12 Rabiul Avval ko khaas jasn manaya ho, Eid miladunnabi ka Ahatmaam kiya ho ya is khaas Mahine me Seerate Taiyaba ki mehfile mun’aqd ki ho,*
*✪_ iske bajaye Sahaba ikraam Raziyallahu anhu ka tareeqa ye tha k unki zindgi ka ek ek lamha sarkare do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ke taZkire ki haisiyat rakhta tha,*
*✪_ Jaha'n do Sahaba Raz. mile unhone Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ahadees aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke irshadaat, Ta’alimaat, Aapki hayaate Taiyaba ke waqiyaat ka Tazkira shuru kar diya, isliye unki har Mehfil Seerate Taiyaba ki Mehfil thi,*
*✪_iska natija ye tha k unko Nabi Kaeeem Sallallahu Alaihivasallam ke saath Muhabbat aur Talluq ke izhaar ke liye rasmi muzahiro ki zaroorat na thi k Eid MILADUNNABI Sallallahu Alaihivasallam manayi ja rahi he aur juloos nikale ja rahe he, Jalse hue ho, Chiraga kiya ja raha he, is qism ke kaamo ki Sahaba ikraam Raz. Tabaieyn, Taba Tabaieyn ke zamane me ek misaal bhi pesh nahi ki ja sakti,*
┏───────────────────┯
*✿☞_islaam Rasmi muzahiro ka Deen nahi ✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Baat dar haqeeqat ye thi k Rasmi muzahire karna Sahaba ikraam Raz. Ki Aadat nahi thi wo islam ki rooh ko apnaye hue the, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam is Duniya me kyu tashreef laye the,? Aap Sallallahu Alaihivasallam ka kya paigaam tha? Kya taleem thi? Duniya se kya chahte the?*
*⇰ isi kaam ke liye Sahaba ikraam Raz. ne apni saari zindgi ko waqf kar diya lekin is qism ke Rasmi Mazahire nahi kiye,*
*✪_ Aur ye Tareeqa humne gair Muslimo se le liya, humne dekha k gair Muslim apne bade bade leadero ke ( Devtao ) ke din manaya karti he, aur in dino me khaas Jashn aur khaas mehfile mun’aqd hoti he’n,*
*✪_ Aur unki dekha dekhi humne socha k hum bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Tazkire ke liye Eid miladunnabi manayenge, aur ye nahi dekha k jin logo ke naam per ( Gair qomo ke zariye ) Jo Din manaye jate he’n wo kisi taqleed ke qabil bhi the ya nahi,*
┏───────────────────┯
*✿☞_Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Zindgi hamare liye namoona he, ✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Lekin yaha to Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ke bare me Allah ta’ala irshad farmate he’n k humne Aap Sallallahu Alaihivasallam ko bheja hi is maqsad ke liye tha k Aap Sallallahu Alaihivasallam insaniyat ke saamne ek mukammal aur behtreen namoona pesh kare’n, esa namoona ban jaye’n jisko dekh kar log naqal utaare, iski taqleed kare, is per Amal kare, aur apni poori zindgi ko iske mutabiq dhaalne ki koshish kare,*
*✪_ is Maqsad ke liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko is Duniya me bheja gaya tha, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki zindgi ka ek ek Lamha hamare liye ek misaal he, ek namoona he, aur qabile taqleed he, aur hume Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Zindgi ke ek ek lamhe ki naqal utaarni he, Aur ek Musalman ki haisiyat se ye hamara fariza he,*
*⇨✪ Lihaza hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Duniya ke doosre leadero per qayaas nahi kar sakte, k unka ek din mana liya aur baat khatm ho gayi, Balki Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ki hayaate Taiyaba ko hamari zindgi ke ek ek shobe ke liye Allah Ta’ala ne namoona bana diya he, aur sab cheezo me Hume unki iqtida karni he, hamari zindgi ka har din unki yaad manane ka Din he،*
┏───────────────────┯
*✿☞_Hamari Niyat Durust Nahi _✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Doosri baat ye he k Seerat ki Mehfile aur Jalse jagah jagah mun’aqd hote he’n ,aur inme Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Seerat ko Bayan kiya jata he,*
*⇰Lekin Baat dar asal ye he k Kaam kitna hi achchhe se achchhe kyu na ho magar jab tak Kaam karne wale ki Niyat sahi nahi hogi Jab tak uske Dil me Daaiya aur Jazba sahi nahi hoga ,Us waqt tak Wo kaam be faayda, be masraf ,balki baaz avqaat muzir, nuqsandah ban jata he,*
*✪ _Dekhiye – Namaz kitna achchha Amal he aur Allah ta’ala ki ibaadat he aur Quran Hadees Namaz ke Fazail se bhare hue he’n ,lekin agar koi Shakhs Namaz isliye padh raha he k log mujhe Nek muttaqi aur paarsa samjhe ,Zaahir he Wo saari Namaz bekaar he ,be faayda he ,balki esi Namaz padhne se Sawab ke bajaye ulta Gunaah hoga,*
*✪_ Hadees Sharif me he ” Jo shakhs logo ko dikhane ke liye Namaz padhe to Goya k usne Allah ke saath doosre ko shareeq thehraya he ,” isliye k Wo Namaz Allah ko raazi karne ke liye nahi padh raha balki makhlooq ko raazi karne ke liye padh raha he, isliye Wo ESA he jese usne Allah ke saath makhlooq ko shareeq thehraya ,itna achchha kaam tha lekin niyat ki kharabi ki vajah se bekaar ho gaya balki ulta Gunaah ban gaya,*
*✪_ Yahi maamla Seerate Taiyaba ke sunne aur sunane ka he ,agar koi shakhs Seerate Taiyaba ko sahi Maqsad ,Sahi Niyat aur Sahi Jazba se Sunta aur Sunata he to ye kaam bila shubha Azeemushshan Sawab ka kaam he aur baaise khairo Barkat he ,aur Zindgi me inqlaab laane ka mojib he,*
*✪_ Lekin agar koi shakhs Seerate Taiyaba ko Sahi Niyat se nahi sunta aur Sahi Niyat se nahi sunaata he balki iske zariye kuchh aur agraaz v maqasid dil me chhupe hue he’n aur Jinke Tahat Seerate Taiyaba ke Jalse aur Mehfile mun’aqd ki ja rahi he’n ,to Bhaiyo’n ye bade ghaate ka soada he ,isliye k zaahir me to nazar aa raha he k Aap bahut Nek kaam kar rahe he’n Lekin haqeeqat me Wo ulta Gunaah ka Sabab aur Allah ta’ala ke azaab aur pakad ka Sabab ban raha he,
┏───────────────────┯
*✿☞ _Niyat Kuchh Aur he ,,!,✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Baaz Allah ke Nek Bande ESE bhi honge jinki ye Niyat hogi ,lekin ek aam tarze Amal dekhe to Nazar ye aayega k maqsad kuchh aur he Niyate kuchh aur he ,balki apna Rutba, Asar Rusookh badhane ke liye k Apni Anjuman ki shohrat ho jaye ,Koi isliye k Jalse ke zariye Hamari tareef hogi, Kahi Jalse isliye ho rahe k apni baat kehne (Siyaasi ya koi firqa parast baat ) ka koi aur moqa to milta nahi isliye Seeratun Nabi ka Jalsa mun’aqd karke usme Apne Dil ki badhaas nikaal le,*
*✪_ Chuna'che ese Jalse me do Char jumle pehle Seerat ke bayan ho gaye aur uske baad apna maqsad bayan ho rahe he ,aur fareeq mukhalif per bambaari (Buraaiya’n) ho rahi he ,*
*✪_Kahi'n Sunne Walo ki Niyat ye hai k Mehfile mun’aqd karne wale humse Naraaz na ho jaye aur unke Dil me shikayat paida na ho jaye, Allah ko Raazi karne ki fikr nahi Mehfile mun’aqd karne walo ko raazi karne ki fikr he,*
*✪_ Kahi'n Taqreer Karne Wala ka Josh Dekhna Maqsood he aur Kuchh ki Waqt guzari ki Niyat, Lihaza Maqsad ye nahi he k Seerate Taiyaba ko Haasil kiya Jaye, Rasulullah ﷺ ki koi baat kaan me pad jati he aur usse insaan ki zindgi badal jati he ,,*
┏───────────────────┯
*✿☞ Har Shakhs Seerat e Taiyaba se Faayda nahi utha sakta ✦*
┗───┯ ✿
*✪_Tumhare liye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki zindgi me behtreen Namoona he aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Hayaat Taiyaba Misle Raah he aur ek paigame hidayat he aur ye Aswa e Husna he, ek mukammal namoona he lekin har Shakhs ke liye namoona nahi he balki us Shakhs ke liye he Jo Allah tabarak v ta’ala ko raazi karna chahta ho ,aur us Shakhs ke liye Jo Yome Akhirat ko sanwaarna chahta ho ,aur Yome Akhirat per uska poora imaan aur yaqeen aur bharosa ho,aur Wo Allah tabarak v ta’ala ko kasrat se yaad karta ho,*
*⇨ Lihaza jis Shakhs me ye osaaf paye jayenge uske liye Seerat e Taiyaba ek paigame hidayat he,*
*✪_ Lekin jiske Andar ye osaaf mojood nahi uske liye is baat ki koi garanti nahi k Rasulullah Sallallahu ki Seerat e Taiyaba uske liye hidayat ka paigam ban jayegi,*
*⇨ Seerat e Taiyaba to Abu jahal ke saamne bhi thi aur Abu Lahab ke saamne bhi thi ,Umaiya Bin khalf ke saamne bhi thi lekin ye Seerat e Taiyaba se faayda nahi utha sake,*
*✪_ Lihaza agar kisi Shakhs ke Dil me Allah ta’ala ko raazi karne ki fikr nahi aur Akhirat ko sanwarne ki fikr nahi aur Allah ki yaad uske Dil me nahi he to fir kisi soorat me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Seerat e Taiyaba se Wo Shakhs apni zindgi me faayda nahi utha sakta,*
*✪_ Lihaza agar hamari niyate durust nahi he to uska natiza ye he k Hazaro taqreere sun le aur Hazaro Mehfile me shirkat karli lekin zindgi jese pehle thi wese hi aaj bhi he ,Jis tarah pehle hamare Dilo me Gunaho ka shok tha aur Ragbat thi Wo aaj bhi mojood he uske Andar koi fark nahi aaya ,*
┏───────────────────┯
*✿☞ _Sunnato Ka Mazaaq Udaya Ja raha he ✦*
┗───┯ ✿
*✪_Teesri baat ye he k inhi Seerat e Taiyaba ke naam per hone wali Mehfilo me ain Mehfil ke doraan hum ese kaam karte he’n Jo Sarkare do Aalam ﷺ ke irshadaat ke qataiy khilaf he ,Sarkare do Aalam ﷺ ka Naam Mubarak liya ja raha he, Aapki talimaat ,Aapki sunnato ka zikr kiya ja raha he Lekin Amlan hum in talimaat ka ,in sunnato ka, in hidayaat ka mazaaq uda rahe he Jo Nabi Kareem ﷺ le kar aaye ,*
*✪⇰1- Be pardgi:- Hamare Ma'ashre me ab esi Mehfile bhi kasrat se hone lagi hai'n jinme makhloot ijtimayi Aurte aur Mard ek saath Bethe hue he’n,*
*⇨Nabi Kareem ﷺ ne Aurto’n ko farmaya k agar tumhe Namaz bhi padhni he to ghar me padho aur ghar me sahan ke bajaye kamre me padho aur Kamre me bhi behtar ye he k kothri me padho,*
*✪_ Aurto’n ke bare me Aap ﷺ ye farman de rahe he’n Lekin in mehfilo me Aurte'n aur Mard makhloot ijtimaat me shareeq hai'n aur kisi Allah ke Bande ko ye khayal nahi aata k Seerat e Taiyaba ke saath kya mazaaq ho raha he, Poori Aara'ish aur Zaiba'ish ke saath saj dhaj kar be parda hokar Khawateen shareeq ho rahi hai'n aur Mard bhi saath mojood he’n,*
*֏☞2- Seerat ke Jalso me Mosiqi ( music ):- Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya tha k mujhe jis kaam ke liye bheja gaya he ,usme se ek Aham kaam ye he k me in Baajo ,Baa'nsuriyo ko aur Saaz v Suro ko aur Alaate ( instruments ) mosiqi ko is Duniya se mita du, Lekin Aaj Seerat ke Jalso me Saaz v Suro ke saath Naat padhi ja rahi he aur Qawwaliya ho rahi he aur ab to Qawwali ke saath lafze ”Sharif ” bhi lag gaya aur isme poore Aab v Taab ke saath Harmoniums baj rahe he ,Saaz or Sur ho rahe he’n, Aam gaano me aur Naat me koi farq hi nahi rakha ja raha he, ye Nabi Kareem ﷺ ki Seerat ke saath isse bada Mazaaq aur kya hoga ,?*
*✪_ Agar Aap ye samajhte he’n k in cheezo se Allah ki Rehmat Aapki taraf mutavajjah hogi to fir Aapse zyada dhoke me koi nahi he, Nabi Kareem ﷺ ki Sunnato ko mitaakar, Talimaat ki khilaf varzi karke agar aap ye Samajhte hai'n k Allah ki Rehmat Aap per nichhawar hogi to isse bada mugaalta aur isse bada dhoka is Rue Zameen per koi nahi ho sakta, Ma'azallah ,*
*⇨ Ye to Allah ke Azaab ko Dawat dene wali baate he’n ,*
*✪_(3)_ Seerat ke Jalse me Namaze Qaza:-- Ab baat aur bhi aage bad gayi he Chuna'che dekhne me aur Sunne me aata he k Aap ﷺ ke Jalse ke intezamaat ho rahe he’n aur Namaze Qaza ho rahi he ,kisi Shakhs ko Namaz ka hosh nahi ,Raat ke 2-2 baje tak Taqreere ho rahi he’n aur Subeh Fajar ki Namaz ja rahi he,*
*✪_ Jabki Nabi Kareem ﷺ ka irshad to ye tha k Jis Shakhs ki ek Asr ki Namaz faut ho jaye to Wo Shakhs ESA he jese uske tamaam maal aur tamaam ahlo ayaal ko koi loot le gaya ho ,itna Azeem nuqsaan he,*
*⇨Lekin Seerat e Taiyaba ke Jalse ke intezamaat me Namaze Qaza ho rahi he aur koi fikr nahi ,aur Jo Taqeed Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Namaz ki bayan farmayi he Wo nigaho se ojhal he,*
*֏☞(4)_ Iyza e Muslim:- Aur suniye Seerat ke Jalse ho rahe, Jisme 25-30 Aadmi kul Bethe he’n aur Loud Speaker itna bada k poore Mohalle me awaaz gunje, Jiska Matlab ye he k Jab tak Jalsa khatm na ho jaye tab tak Mohalle ka koi bimaar, koi zaief, koi budha aur Mazoor Aadmi bhi so nahi sakta,*
*✪_ Hala'nki Nabi Kareem ﷺ ka Amal to ye tha k Aap tahajjud ki Namaz ke liye bedaar ho rahe he aur Aayesha Raziyallahu Anha farmati he’n k Aap itne dheere se uthte k kahi ESA na ho k Aayesha ki Aa'nkh khul jaye, Aahista se darwaza kholte,*
*✪_ Namaz jese fariza ke Andar Huzoor ﷺ ka ye Amal tha k Aap ﷺ ne farmaya k Agar Namaz me kisi bachche ke Rone ki awaaz sunta hu to Namaz ko mukhtasar kar deta hu’n Kahi'n esa na ho k us Bachche ki Awaaz sunkar uski Maa mashakkat me mubtila ho jaye, Lekin Yaha'n Bila zarurat ,bager kisi vajah ke itna bada loud speaker he k koi Zaief bimaar Aadmi bhi apne ghar me so na sake aur intezaam karne wale isse be khabar he’n k kitne bade Gunaah ka irtkaab ho raha he ,isliye k iyza e Muslim Kabeera Gunaah he, iska kisi ko ahsaas hi nahi,*
┏───────────────────┯
*✿☞_Doosro ki Naqqali me Juloos nikaalna✦*
┗───┯ ✿
*✪_Hamara ye Sara tarze Amal is baat per dalalat kar raha k dar Haqeeqat hamari Niyat durust nahi he, Aap ﷺ ki talimaat ko apnane aur us per Amal karne ki Niyat nahi balki maqasid kuchh aur he,*
*✪ _Pehle sirf Jalso ki had tak baat thi ,ab to Jalso se aage badh kar Juloos nikaal na shuru ho gaya aur iska istadlaal ye kiya jata he k Fala firqa wale Fala mahine me Apne imaam (Devtao) ki yaad me Juloos nikaal te he’n to fir hum Apne Nabi Kareem ﷺ ke Naam per Rabi ul Avval me Juloos kyu nahi nikaale, Goya k ab unki naqal utaari ja rahi he,*
*⇨ Aur ye samjha ja raha he k hum Nabi Kareem ﷺ ke Ahkaam ke mutabik Amal kar rahe he’n, aur Aapki Azmat aur Muhabbat ka haq ada kar rahe he’n,*
*✪_ Lekin is per zara gor kare k Nabi Kareem ﷺ khud is Juloos ko dekh le Jo Aapke naam per nikaala ja raha he to kya Aap ﷺ isko gawara aur pasand farmayenge ?*
*⇨ Nabi Kareem ﷺ ne to hamesha is Ummat ko is Rasmi mazahiro se door rehne ki talqeen farmayi he,*
*✪_ Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k zaahiri aur Rasmi cheezo ki taraf Jane ki bajaye meri talimaat ki rooh ko dekho aur meri talimaat ko apni zindgi me apnane ki koshish karo,*
*✪_ Sahaba kiraam Rizwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaien ki poori hayaat e Taiyaba me koi shakhs ek Nazeer ya ek misaal is baat ki pesh nahi kar sakta k Nabi Kareem ﷺ ki Seerat ke Naam per Rabiul Avval ya kisi aur Mahine me koi Juloos nikala gaya ho, balki poori tareekh me koi ek misaal bhi kam se kam esi nahi milegi ,*
*✪_Nabi Kareem ﷺ ka irshad he k, Jo Shakhs kisi Qom ke saath mushab'hat Akhtyar karta he Wo unme se ho jata he ,*
┏───────────────────┯
*✿☞_Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur Hajre Aswad ✦*
┗───┯ ✿
*✪ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu to Hajre Aswad ko choomte waqt farmate he’n k, Ey Hajre Aswad ! Me jaanta hu k tu ek patthar ke Siva kuchh nahi he, Khuda ki qasam agar Muhammad Mustafa ﷺ ko mene tujhe choomta hua na dekha hota to me tujhe kabhi na choomta ,lekin mene Nabi Kareem ﷺ ko choomte hue dekha he aur unki ye sunnat he is waaste me tujhe choomta hu'n,*
*✪ _waha'n to Hajre Aswad ko ye kaha ja raha he aur yaha apne haath se ek Gumbad bana kar khada kar diya ,apne haath se ek Kaaba bana kar khada kar diya aur isko mutbrak samjha ja raha he aur usko chooma ja raha he, muraade maani ja rahi he,*
*⇨ Yani Nabi Kareem jis cheez ko mitane ke liye aaye the, un Shirk, Bid’aat ko zinda kiya ja raha he, Chiraga ho raha, Recording ho rahi, Band Baaje baj rahe he’n, Tafreeh Nazi ho rahi he, Nabi Kareem ﷺ ke naam per Mela mun’aqd ho raha he,*
*⇨ Ye Deen ko Ek Khel banane ka ek bahana he, Jo shaitan ne Hume sikha diya he,*
*✪_ Khuda ke liye hum apni jaano per reham kare aur Sarkare do Aalam ﷺ ki Seerat e Taiyaba ki Azmat aur Muhabbat ka haq ada kare aur Azmat aur Muhabbat ka haq ye he k apni zindgi ko unke Raaste per dhaalne ki koshish kare,*
┏───────────────────┯
*✿☞Khuda ke Liye Apne is Tarze Amal ko Badal dalo ✦*
┗───┯ ✿
*✪_ Seerat e Taiyaba ke Jalse me Koi Aadmi is Niyat se nahi aata k hum is Mehfil me is baat ka Ahad karenge k Agar hum Nabi Kareem ﷺ ki Talimaat ke khilaf pehle 50 kaam kiya karte the to ab ek bhi nahi karenge, ya isme se kam se kam dus chhod de'nge, kya kisi ne ye Ahad kiya ? Koi ek Shakhs bhi is kaam ko taiyar nahi,*
*✪ Lekin Juloos nikaalne ke liye, Mele sajane ke liye, mehrabe khadi karne ke liye, chiraaga karne ke liye har waqt taiyar he’n, in kaamo per jitna chaho rupiya kharch kar dalo ,aur jitna chaho waqt lagwa lo ,,isliye k in kaamo me nafs ko maza aata he ,lazzat milti he,*
*⇨Aur Nabi Kareem ﷺ ki Seerat e Taiyaba ko Jo Asal Raasta he isme nafs v shaitan ko lazzat nahi aati,*
*⇨ Khuda ke liye hum apne is tarze Amal ko khatm kare aur Nabi Kareem ﷺ ki Azmat aur Muhabbat ka haq pehchane,*
*✪_ Allah Ta’ala hume sabko Sunnato per Amal pera hone ki Tofeeq ata farmaye, Aameen Ya Rabbul Aalameen,*
*⇲ Alhamdulillah Mukammal Hua ,*
*🗂 Seerat Ke Jalse aur juloos ( Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Madzillahu)*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
🌺🌼🌺
0 Comments