Gharelu Jhagdo Se Nijaat Saas Bahu Ke Jhagde -(Roman)

🎍﷽ 🎍
┯━══◑━═━┉─◑━═━━══┯
*●• GHARELU JHAGDO SE NIJAAT •●*
*◐ Sasural Ke Jhagde ◐
╥────────────────────❥
*⊙⇨Sasural Ladki Ka Asli Ghar:-*

*★_ Sasural Ke Jhagde Ye itna Pechida Unwan hai k Rassi Ki Dor ka Sira pakadna bhi Mushkil Nazar aata hai, Ka'i pehlu isme Shamil hote hai'n, Magar Natija ye Nikalta hai k Sasural me Ek Khee'ncha Taani ka Mahol hota hai, Saas se Puchho to wo Apni jagah Sachchi, Bahu se puchho to Wo Apni jagah Sachchi, Nando se puchho to Wo Apni jagah Sachchi, Sachchi bhi Sab hoti hai'n aur Pareshan bhi Sab hoti hai'n, To Aakhir koi na koi to baat hoti hai k Ye Ghar ke Andar Tension ki Kaifiyat hoti hai, Ek Doosre ki Geebate ho rahi hoti hai'n, Akhtyaraat ki Jung ho rahi hoti hai, Ghar per Sukoon hone ki bajaye Danga Fasaad ka Mahol Nazar aata hai,*

*★_ Har Ladki Ko Zehan me ye baat Sochni Chahiye k Mera Asal Ghar Sasural hai, Beti hamesha paraye Ghar ki Amanat hoti hai, Maa'n Baap go use Paalte hai'n Lekin bil Aakhir use Doosre Ghar ja kar basna hota hai, isliye Bachchi ke Zehan me Shuru se ye baat daàlni hoti hai k "Apna Ghonsla Apna.. kachcha ho ya Pakka",*

*★_ Jab Bachchi Shuru se hi ghar Basane ki Niyat le kar jayegi to wo Ghar me Mojood jo pehli Khawateen hai'n, Unke Saath Achchha Talluq bana kar rakhegi aur Muhabbat Pyar ke Saath rahegi, Ghar me pehle se Mojood Khawateen ko Chahiye k wo us Nayi aane Wali Bachchi ko Apne Ghar ka Ek Fard Samjhe'n, itni Qurbani kar ke aayi, Maa'n Baap ko Chhoda, Behan Bhai ko Chhoda, Mayke me Jaha'n rehti thi Waha'n Apni Saheliyo ko Chhoda, Sab kuchh Chhod Chhaad kar Agar usne Qurbani ki aur Apne Khawind ki Khaatir Yaha'n aa gayi to is Qurbani ki bhi to Aakhir koi Value ( Qadr ) hoti hai ,*

*★_ Agar Sab Log Apni Apni Zimmedariyo ka Ahsaas Kare'n to in Jhagdo Ko Khatm Kiya ja Sakta hai, Aam tor per jab kisi Bachche ki Shaadi hoti hai to Wo Apne Maa'n Baap ke ghar rehta hai aur Bachchi ko Ek Aabaad Ghar ke andar aana padta hai, Ye uski Zarurat bhi hai lekin Yaha'n aa kar usko Adjustment ka masla hota hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Saas Ki Taraf se Jhagdo Ke Asbaab-:-*

*★_ Hume Pehle Ye Sochna hai k Jhagdo Ki Buniyadi Vujuhaat kya hoti hai'n taaki Un Vujuhaat ko Khatm Kiya ja Sake, To Sabse Pehle Saas Ki Taraf se Jhagdo Ke Asbaab kya hai'n,*

*★(1)_ Badgumani:- Saas ki Taraf se Jhagdo Ke Asbaab me se Pehla Sabab Badgumani hota hai k Saas ke Dil me Ek Anjana khof hota hai k Ye aane Wali Ladki Kahi'n mere Bete ke Dil Per Qabza na kar le aur Usko Le kar Kahi'n Door na Chali jaye, Lihaza jab Wo dekhti hai k Miya Bivi Aapas me Muhabbat Ke Saath reh rahe hai'n to Ese Harbe istemal kana Shuru karti hai k Miya Bivi ki Muhabbat zyada pakki na ho, Chuna'che Wo Apne Bete Ko uski Bivi ke bare me Shikayate lagana shuru kar deti hai, Taaki is badhti Muhabbat ko kam kar sake, Zehan me uske Ye Dar hota hai k Agar is Ladki ne mere Bete ke Dil Per Qabza kar liya to ye mujhe Doodh me padi Makkhi ki Tarah Nikaal kar bahar Fai'nk degi, Lihaza Muhaaz Araai Shuru ho jati hai,*

*★(2)_ Hukmrani :- Doosri Vajah ye Hoti hai k Bahu ke aane se pehle Saas Apne Ghar me All in all ( Sab Kuchh ) hoti hai, Uska Hukm chalta hai, Wo Ghar Ki Maalik hai, Badi hai, Jab Bahu aa jati hai to Saas Apni is Hukumat ke Andar kisi ki Dakhal Andazi Bardasht nahi karti, Lihaza uski Koshish hoti hai k aane Wali Ladki meri Baa'ndi ban kar rahe, Khawind ki bajaye mere isharo per chale, Jo Mai'n Chahu is Ghar me Wahi ho,*

*★_ Baaz Gharo me humne ye bhi Suna hai k Saas Ki Hukumat itni mazboot hoti hai k Agar Bahu ko koi Cheez khani aur Pini hai to Fridge ka Darwaza kholne se pehle Saas se ijazat Leni padti hai, Ab agar aane wali kisi Bachchi ko is Tarah Mahkoom bana diya jaye k Fridge me khane pine ki Cheezo me bhi uska Akhtyar nahi to fir Jhagde nahi ho'nge to aur kya hoga ?*

*★_ Ab Bivi Apne Khawind ke Liye to Har Qurbani Bardasht kar leti hai, Lekin Doosre Bande ka uski Personal Life ( Zaati Zindgi ) ke andar itna Dakhal Andaz hona usko bhi bura lagta hai, Chuna'che Ye Aapas me Jhagde ki doosri vajah ban jati hai,*

*★_ (3) Bete ki Kamayi per istehqaq :- Teesri Vajah ye hoti hai k Maa'n Ye Samajhti hai k Beta jo Kamayi kar raha hai wo Saari Ki Saari meri hai, Bahu Ye Samajhti hai k mere Miya ki Kamayi hai, usme Mera bhi Haq hai, Chuna'che Ye Aapas me Ek Doosre ke Saath Jhagda paida hone ki Teesri Vajah hoti hai,*

*★_(4) Bad Aitmaadi:- Fir Chothi Vajah Saas ke Dil me Ye Dar aur Khatra bhi rehta hai k Ye Bahu Hamare Ghar ki Cheeze Apne Maayke na bheje, Apni Behan Ko Apne Bhaiyo'n ko na bheje, Chuna'che is per bhi Wo Shak ki Nazar se usko dekhti hai aur Ka'i dafa is per Talkhi bhi ho jati hai,*

*★_(5) Saas Ki Talkh Mizaaji:- Aapas ki Ranjish ki Buniyadi Vajah Saas ki Talkh Mizaaji aur Budhapa hota hai, Wo Apni Jawani ki Zindgi guzaar chuki hoti hai aur Bhool jati hai k Aane Wali Bachchi Nojawan hai, isne Apne Miya ke Saath ibtidayi tor per zyada Waqt guzarna Hota hai, To Shaadi ke Dino me jab Miya Bivi Ek Doosre ke Saath zyada Waqt guzarte hai'n To Maa'n Samajhti hai k Mujhe to ignore ( Nazar Andaz) hi kiya ja raha hai, Hala'nki isme Nazar Andaz karne Wali koi baat hi nahi hoti,*

*★_ Chuna'che Ye Jo Miya Bivi ki Zindgi me Dakhal Andazi ho rahi hoti hai ye bhi Aapas ki Ranjish ka Sabab ban jati hai, Ye wo Vujuhaat hai'n Jo Aam tor per Saas ki Taraf se hoti hai'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Nanado Ki Taraf se Jhagde Ke Asbaab:-*

*★_ Baaz Awqaat Nanado Ki Taraf se bhi is Ladayi Jhagde ke Asbaab hote hai'n, iski Buniyadi Vajah ye hoti hai k Bhabhi Ke aane se pehle Nanade Apne Ghar ke Andar Betiya'n hoti hai'n, Beparwahi Ki Zindgi guzarti hai'n, Koi ounch neech kar bhi le'n to Maa'n hai, Baap hai, Bhai hai, Sab uski Galtiyo'n ko chhupate hai'n, Uski Kotahiyo'n se Darguzar karte hai'n aur Uske Aibo per Sabke Sab parda daalte hai'n,*

*★_ Ab jab Ghar me Ek Jeeta Jaagta insaan aur aa jata hai to Nanade ye Mehsoos Karti hai'n k Hamari har baat ko Note kiya ja raha hai, Hum kis se phone per baat kar rahi hai'n? Kiska Phone aa raha hai? Hum kis waqt Kaise Kapde pehan Rahi hai'n ? Kaha'n ja rahi hai'n ? Unhe Yu'n Mehsoos hota hai k Hamare Ouper Ek Nigra'n Aa'nkh aa gayi hai, Ek Video Camera Ouper Fix ho chuka hai, Lihaza wo Apni Azaadi ke andar usko Ek Pabandi Samajhti hai,*
*"_ Chuna'che Wo koshish karti hai'n k kisi na kisi Heele bahane se Apni Bhabhi ko Apne Dabaav ne rakhe'n, Taaki ye Bhabhi Hamari koi baat dekhe bhi Sahi to Apni Zubaan ko band rakhe, Ye Bahar Hamari Kotahiyo'n ko bata na de, Lihaza Nanad Teen kaam karti hai -(1) Saas Ko Bhadkati hai, (2) Bhai Ko Bivi ke Khilaaf Uksati hai (3) aur Apni Bhabhi ko dabati hai,*

*★_ Lihaza Ek Waqt me Teen kaam kar rahi hoti hai aur Miya Bivi ke darmiyan galat fehmiya'n paida karne ke Liye Catalysts ka kaam karti hai, Esi baat kar deti hai k Khawind khawah mkhwah Bivi se Naraaz hota hai, Esi Baat kar deti hai k us aane Wali Ladki ko bhari mehfil ke andar Sharminda hona padta hai, uski Chhoti Baato ko bada bana kar pesh kar deti hai,*

*★_ To Goya Maa'n ka Ye Ta'awun us Bahu ke khilaaf ek Muhaaz ban jata hai aur Bahu ko Yu'n Nazar aata hai k Ab meri Nijaat is Ghar se bahar jane me hai, Chuna'che wo Apne Khawind se kehna Shuru kar deti hai k Ya to mujhe alag ghar le kar do ya Fir mujhe Mayke chhod kar aao, Ab Khawind darmiyan me Sandwich ban jata hai, Ek Taraf Maa'n aur Behan aur Doosri Taraf Bivi, Jab Bivi ki Taraf dekhta hai k ye Muhabbat karne Wali hai, Nek Namazi hai, Khoobsurat bhi hai, Ghar basana bhi jaanti hai, Mai'n iske Paas aata hu'n to mujhe Muhabbate bhi deti hai, To Khawind ka ji chahta hai k Mai'n Apni Bivi ko jitna Khush rakh Sakta hu'n use khush rakhu'n,*

*★_ Magar Doosri Taraf uski Maa'n aur Behan mil kar uski Bivi ki Taraf se Ajeeb v Gareeb Reports deti hai'n, na usko pakana aata hai, na ghar ki Safayi karni aati hai, Pata nahi Maa'n Baap ne kaise isko paal kar bada kiya, Kaha'n se ye Ganwaar uth kar aa gayi ? Na use is baat ka pata na is baat ka pata, To ye Ek Ajeeb si Situations ghar ke andar paida ho jati hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bahu Ki Taraf se Jhagde Ke Asbaab:-*

*★_ Ab Bahu Ki Taraf se Jhagde Ke Asbaab kya hote hai'n ? Aam tor per Jis Nojawan Ladki ki Shaadi hoti hai, Dekha ye gaya hai k Wo Na Tajurba Kaar Ladki hoti hai, Usko Azwaaji Zindgi ke Ladayi Jhagdo ka zara pata nahi hota, Wo Maa'n Ki Muhabbato me pali, Baap Ki Shafqate Samete, Bhai ki Muhabbate paye'n, Un Muhabbato ke Mahol se nikal kar Ek naye Ghar ke Andar aati hai to Tawaqqoat yahi rakhti hai k Jo Maa'n Muhabbate deti thi wohi Saas dengi, Jo Abbu Muhabbat dete they Wo Mujhe Sasur denge, aur Khawind ke bare me Tasavvur rakhti hai k Ye to hai hi meri Zindgi ka Saathi, To uski Tawaqqoat zyada hoti hai'n,*

*★_ Magar usko Waha'n aa kar jo Soorate Haal Nazar aati hai wo Kai martaba Tawaqqoat ke Mutabiq hoti hai aur Kai martaba Tawaqqoat ke khilaaf hoti hai, Lihaza ye Na Tajurbe kaar aur Bholi Bhaali Ladki naye Ghar me aa kar bahut Saari Galtiya'n karti hai, Khane Pakane me itni maharat nahi hoti, Mehman Nawaziyo ka itna pata nahi hota, Maa'n Baap ke ghar me padhne lagi rehti thi, Apne kaamo me lagi rehti thi, Ghar ke Kaamo me itna Ta'awun nahi kiya hota, Chuna'che Yaha'n aa kar uske Liye Soorate Haal Sakht ho jati hai, aur fir Umr bhi chhoti hoti hai, Usko itna pata nahi hota k maine Yaha'n aa kar kis tarah Apne Aapko bach bacha kar rakhna hai ?*

*★_ Ye bhi nahi Samajhti k Khamoshi ke kitne fayde hote hai'n? Koi na koi baat kar deti hai, fir Uske EK Ek Lafz ko pakad liya jata hai aur Ek Ek Lafz ko pakad kar uske Ouper poori Daastaan bana di jati hai, Fir us Bahu ke Zehan me ye baat bhi hoti hai k Meri Shaadi hui, Nikaah hua, Mai'n Beti ki Haisiyat se is Ghar me aayi hu'n, Mai'n is Ghar me Londi ban kar to Nahi aayi, Mai'n Kahi'n bhaag kar to Nahi aayi, to Wo Tawaqqo karti hai k is Ghar me mujhe Ek Respect ( izzat ) milni chahiye,*

*★_ Aur Khawind ke bare me uske Zehan me bhi hota hai k Khawind to Bas Esa ho k meri har baat per Aameen kehne wala ho, uske Dil ke andar ye Khwahish hoti hai k idhar meri Zubaan se baat nikle aur Khawind us per Ye (Haa'n) kar de aur Baaz Awqaat us Bahu ke Zehan ye bhi Khatra hota hai Ya Saheliyo ne usko Galat Guide kiya hota hai k Agar Tum Sasural ja kar Ek dafa dab gayi, To Saari Umr Tumhe daba kar hi rakhenge, Lihaza wo bhi Apne Huqooq ki Jung ladna Shuru kar deti hai aur Chhoti Chhoti Baato ka Apne Mayke me aa kar Tazkira karti hai, Kabhi Behan ke Saath, Kabhi Maa'n Ke Saath, Ab idhar Behan aur Maa'n us Mashware deti hai'n aur Wo fir Sasural me Remote Control khilone ki Tarah Khel Khel rahi hoti hai, Ye Sab Napasandida Soorate Haal hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Asbaab ka Nichod... Khudgarzi Ki Jung :-*

*★_ Yu'n Lagta hai k in Tamaam Vujuhaat ko Saamne rakhe'n to Lubbe Lubaab yahi Nazar aata hai k Har insaan Ghar ka Har Fard Apni Marzi ki Jung lad raha hai, Saas ko Apne Fayde Chahiye, Nanad Ko Apne Chahiye, Bahu Ko Apne Chahiye aur is Vajah se Ab Ghar ke andar Ladayi ki Ek Fiza ban jati hai, Ek Doosre ke Saath Husne Akhlaaq se rehne ki Taleem dene me Kami reh jati hai, Ab ye Zimmedari to Sasur ki bhi hoti hai k Wo Ghar ka Bada hota hai, Wo Apni Bivi ko bhi Samajhta hai, Beti ko bhi Samajhta hai,*

*★_ Lihaza is Aane Wali Ladki ko Waha'n Adjust hone me usko Moral Support kare, Usko Sahara de, taki Wo Bachchi Mehsoos kare k mere Sar ke Ouper koi Saya hai, Wo Apne Aapko Hawa me latakta Mehsoos na kare k Maloom nahi kis Waqt Saas mujhe Apne Ghar Waapas bhej de,*

*★_ Ab Kai martaba Sasur Sahab Apni Bivi ke Saamne baat nahi kar sakte aur Kai martaba Apni Buisness me itne Masroof hote hai'n k Waqt hi Nahi hota, Mard ke paas Waqt na ho aur Aurte'n Ghar me Ek doosre ko Support na kare'n to Ghar ke andar Ladaiya'n nahi ho'ngi to aur kya hoga ? Hume Chahiye k Hum Ek Doosre ke Saath Muhabbat aur Pyar se rehne ki Taleem ko Aam kare'n,*

*★_ Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya k Meri Ummat ke Log Namaz aur Roze ki vajah se Jannat me nahi jayenge balki Ek Doosre per Raham karne ki Vajah se Jannat me zyada jayenge, To Ek Doosre ke Saath iesaar Raham Muhabbat in Aqdaar ko ghar ke andar badhane ki zarurat hoti hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Jhagde Kaise Khatm ho- Saas Ki Zimmedari:-*

*★_ To Aaiye ! In Tamaam Asbaab ke ilaaj kya hai'n ? In Tamaam Asbaab ke Hal kya hai'n? Is per Thodi si baat karte hai'n, Jhagde Tabhi khatm ho Sakte hai'n Jab Har Banda Apni Makhsoos Zimmedariyo ko Zimmedari se ada karne ki koshish Kare'n,*
*(1)_ Saas Apne Badapan ka Saboot de:- Sabse Pehle Saas Ghar ki Maa'n hai, Badi hai, Uski izzat aur Ahatraam hai, Bado ko Bada hi ban kar rehna chahiye, Apni Zimmedariyo ko poora karna Chahiye, To Saas ko Sabse Pehle ye Samajhna chahiye k Aane Wali Ladki Plastic ka khilona nahi Jeeta Jaagta insaan hai, Maine Khud ise pasand kiya hai, Apne Bete ke Liye le kar aayi, khud Chal kar gayi thi, Ab Agar ye Aa gayi hai to ye bhi insaan hai, isme Yaqinan khoobiya'n bhi ho'ngi aur Khamiya'n bhi ho'ngi, To mujhe jese iski Khoobiyo ko Qubool karna hai iski Khamiyo'n ko bhi Qubool karna hai aur Pyar Muhabbat se iski islaah karni hai,*

*★_ (2) Bahu aur Beti Ko Barabar Samjhe:- Jese Apni Beti ke Andar Khamiya'n hoti hai to Maa'n Sabr Ke Saath un Khamiyo'n ki islah me lagi rehti hai to Fir Bahu Ke Liye kyu Ye Samajhti hai k Ek din me Ye Theek ho jaye ? Bahu bhi uski Beti hi ki hum Umr hai, Uski Beti hi ki Tarah hai, Jo Rawayya Saas Apni Beti ke Saath rakhti hai Wohi Rawayya Agar Apni Bahu ke Saath rakhe to Ghar ke Jhagde bilkul hi khatm ho jaye'n, Musibat Yaha'n ye hoti hai k Beti Wohi Galti karti hai to Maa'n Us Galti ko chhupati firti hai aur Agar Wohi Galti Bahu kar leti hai to Saas Us Galti ko batati firti hai, To ibtidayi Dino me us aane Wali Bachchi ko Galtiyo'n se kuchh Darguzar karna chahiye,*

*★_ (3) Saas Ki Buniyadi Galti :- aur isme Ek Galti Saas ki ye bhi hoti hai k Aam tor per usne Bahu ka intekhab kiya hota hai to Faqat uski Shakl ki Khoobsurati ko dekh kar kiya hota hai, Ye Zehan me rakhe'n k Sirf Walima Ke Din Ladki ki Shakl ko dekha jata hai, To jo cheez poori Zindgi dekhi Jani thi Us per Tavajjo nahi deti aur Shakl ki Hoor pari dhoondh kar Apne Ghar le aati hai, na Taleem dekhi, na uske Akhlaaq dekhe, to is vajah se fir musibat bad jati hai,*

*★_ (4) Bahu Ki Galtiyo'n Per Darguzar kare'n:- Saas Ki Zimmedari Hai k Wo ibtidayi Chand dino me Bahu ko Ghar ke andar Apne Aapko Adjust hone ka moqa de, Uski Kotahiyo'n se Darguzar kare'n, Nayi jagah per insaan Baaz Cheezo ko Nazar Andaz kar jata hai, Baaz kaamo ko bhool jata hai, to Bahu se is qism ki Galtiya'n hona koi Anokhi baat nahi, Lihaza use Chahiye k ibtida me agar Ladki Galtiya'n bhi kare to usse Darguzar se kaam le, aur Yahi Samjhe k Haa'n Chand dino ke baad jab ye Ghar me Set ho jayegi to Mai'n is Ladki ko Samjha lungi,*

*★_(5)_ Bahu ko khushi se Ghar ki Zimmedari de'n:- Ghar Ke Kaam kaaj me Bahu ko Hansi Khushi Zimmedari de'n, Misaal ke Tor per khana pakana hai to ye Zaroori to nahi k Har RoZ Saas se hi Saara kuchh poochh kar pakaya jayega, Kabhi Saas Yu'n bhi keh de k Beta Apni Marzi ka khana paka lo, To Ladki ko thoda sa Akhtyar milega to uska Dil khush hoga, To Ye Zimmedari Saas ki banti hai k wo aane Wali Ladki ko hansi Khushi Zimmedari so'npe aur Saath ye bhi Soche k Jab Mai'n Bahu ban kar aayi thi to us Waqt mere Jazbaat kya they ? Aur Mai'n bhi Apni Saas ke bare me ye Socha karti thi k zara Zimmedari mere Ouper daal kar to dekhiye, Mujhe kaam de kar dekhe'n, Mai'n kaise nahi kaam karti ? Mai'n bhi har baat per Tanqeed Napasand karti thi, Zara Zara si baat per nukta chini se mera dam ghutta tha, Aaj jab Mai'n Apni Bahu ki Saas ban gayi hu'n to Mai'n Apni Bahu ke Saath Wohi Sukook kyu rakhu ?*

*★_(6) Har Waqt Ki Tanqeed se gurez kare'n:- Niyat hamesha achchhi rakhe'n, Allah Rabbul izzat Niyat ki vajah se ghar ka Mahol achchha kar dete hai'n, Har baat per Bahu ko kaatne na daude, Agar uske bure kaam per Tanqeed karti hai'n to uske Achchhe kaam per Tareef Tareef bhi kiya kare'n, Ye to koi baat nahi Hui k Galti per uski mitti paleed kar di aur Achchhe kaam ko ese Nazar Andaz kiya jese usne Kiya hi nahi, Yahi vajah hai k kabhi Behan ki Beti ko Bahu bana kar layi, Kabhi Bhai ki Beti ko Bahu bana kar layi, itni Qareebi Rishtedariya hoti hai'n Lekin Jese hi wo Ladki Ghar aati hai, uske Saath jhagde Wala masla Shuru ho jata hai, Apni Bhatiji ko, Apni Bhanji ko, Apni Qareebi Saheli ki beti ko le kar aati hai aur jese hi Wo Bachchi Ghar me Qadam rakhti hai Bas uski Galtiya'n dekhna Shuru kar deti hai'n, to Saas ko chahiye k wo is moqe per Apne Badappan ka Saboot de aur us Bachchi ko Adjust hone ke liye har mumkin Ta'awun kare, Aapki beti bhi uski Shikayat kare to Beti ko Samjha bujha le'n, Magar Ghar ke andar Khwah mKhwah mahol ko kharab na hone de'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Jhagde Kaise Khatm ho- Bahu Ki Zimmedariya'n:-,*

*★_ Bahu ki bhi Zimmedari hoti hai, Us Aane Wali Ladki ne bhi bahut Saari Baato ka khayal rakhna hota hai, Wo Ek Naye Ghar me aayi hai aur us Naye Ghar me use Apni Haisiyat manwane ke liye Yaqinan bahut zyada Mehnat karni Padegi,*
*(1)_ Saas Ko Apni Dushman na Samjhe:- Bahu Hamesha Ek moti si baat ye Soche k Saas Agar meri Dushman hoti to mujhe Apne Ghar me laati hi kyu? Jab usne mujhe apne Bete ke liye pasand kiya aur Bahu bana kar layi ye is baat ki Daleel hai k Wo meri Dushman nahi balki meri Mohsina hai, iska mere Ouper Ahsaan hai k itna Achchha beta, Zimmedar aur Samajhdar, uske liye usne mujhe Bivi ke Tor per Mustakhab kiya, Agar Wo na karti to ye Rishta na ho Sakta, Agar ye Rishta hua hai to isme Saas ka mere Ouper Ahsaan hai, Jab Bahu ye Zehan le kar aayegi k Saas meri Mohsina hai to Yaqinan wo Ghar me aa kar us Saas ko Saas nahi Samjhegi balki Apni Maa'n Samjhegi aur Maa'n ke Samjhne se hi Saare jhagde khatm ho Jayenge,*

*★_(2)_ Maa'n Bete ki Muhabbat me Kami na aane de:- Fir Bahu ko ye bhi Zehan me rakhna chahiye k mere aane se pehle ye han'sta basta Ghar tha, Aapas me pyar muhabbat se reh rahe they, Bete Ko Maa'n ne muhabbato se pala, Ye Maa'n ke Saath itna zyada Attach tha, Ab Mai'n is Ghar me nayi aayi hu'n to is Bete Ko apni Maa'n se Alag nahi karna, Mujhe is Bete Ko Apni Maa'n se door nahi karna, Mere Khawind Ke liye ye Jannat hai, uske Qadmo me Allah Rabbul izzat ne mere Khawind ke Liye Jannat banayi hai, Lihaza Maine Hamesha unko izzat Deni hai aur unki khidmat ko mujhe Apne liye Sa'adat Samjhni hai,*

*★_ Jab Bahu ye Samjhegi to Yaqinan wo Maa'n Bete ki Muhabbat me Keel nahi thokegi, Wo Budhi Saas ko satayegi nahi, Balki Agar Khawind uske Saath bahut Zyada waqt guzare aur Apni Maa'n aur Behan Ko bahut hi chhode rahe to Bahu ko ye Chahiye k Apne Khawind ko Samjhaye k Apne Maa'n Baap ko Nazar Andaz karna Achchha nahi hota, Agar uska Saga Bhai Apne Maa'n Baap se Laparwahi baratta to usko kitna bura lagta, Ab uska Khawind Agar Maa'n Baap ko Nazar Andaz kar raha hai to fir usko kyu Achchha lagta hai? To Bivi ko chahiye k Wo bhi ye baat Samjhaye, Taki uska Khawind apne Maa'n Baap ke Saath Wohi Muhabbate rakhe Jo Shaadi se pehle thi,*

*★_ (3)_ Saas se Laparwahi na barte :- Ka'i jagaho per dekha, Saas Budhi hai, Nanad ghar me nahi, to fir Bahu ghar me aate hi Sherni ban jati hai aur Saas ko Nazar Andaz karna Shuru kar deti hai, Ka'i jagaho per hume ye khabar milti hai k Saas ko Apne Waqt per khana bhi nahi diya jata, Bas ye Khawind ko Qabu me kar leti hai aur uske baad Saas ko Ek Budhiya Samajh kar kamre ke ek kone me padi rehne deti hai, Ye cheez intehayi buri hai, Shari'at ne Saas aur Sasur ko Maa'n Baap ka Darja diya hai,*

*★_ Aane Wali Bahu ye Soche k Agar is Budhiya ki Mai'n khidmat karu'ngi to Mai'n Apne Khawind ko bhi Raazi karungi, Ab uske liye apni Saas ki khidmat koi mushkil kaam nahi hoga,*

*★_ (4) Saas Ka Dil khush karne ki koshish Kare'n:- Bahu ko chahiye k Ese moqe Talash kare k Wo Apni Saas Ka Dil khush kar sake, Baaz kaam bahut chhote chhote hote hai'n Lekin Agar Tavajjo di jaye to Doosre Bande ke Dil me jagah ban jati hai, Misaal ke Tor per Agar Saas koi Medicine istemal karti hai to Waqt Ke Ouper usko medicine de dena, Ahatyaati khana khati hai to Wo bana kar de dena, Wazu ka pani garam kar ke de dena, Musalla bichha kar de dena,*

*★_ Ye unke Chhote Chhote kaam ho'nge lekin jab Bahu in kaamo ko karegi to wo Samjhegi k Ye Bahu nahi mere ghar ki beti hai, To Yaqinan Saas ka Ravayya Bahu ke Saath Maa'n jesa ho jayega, Ye Bahu ki Zimmedari hoti hai k Naye Ghar me ja kar Saas ke Dil me Apni Jagah banaye, Chuna'che Ese moqe ko Talash karna chahiye k jisse Unhe Ye Mehsoos ho k Ye Beti ban kar unki Zaati Khidmat ko bhi Apni Sa'adat Samjhti hai,*

*★_(5)_ Saas Ke Tajurbaat se Fayda uthaye:- Bahu ko chahiye k koi bhi kaam karna ho to Saas ke Tajurbe se Fayda uthaye balki usse mashwara kar liya kare, Ye Soche k Agar Mai'n Apni is Ammi se poochh kar mashwara kar ke kaam karungi to Yaqinan Mai'n Galtiya'n kam karungi, Jab bager Mashwara ke kaam karungi to Kotahiya'n zyada karu'ngi, Lihaza Saas ke Mashware se kaam karna chahiye, Uske Tajurbe se Fayda uthana chahiye balki uske Tabsire se Sabaq Seekhna chahiye,*

*★_(6)_ Saas ko Harana Maa'n Ko Harane Ke barabar Samjhe:- Aur Ek badi Aham baat ye hai k Agar Kheecha Taani ka Mahol ban gaya aur ye Bahu Jeet bhi gayi to yahi Samjhe k Mai'n Apni Maa'n ko hara chuki hu'n, Jab Bahu ne ye Zehan me rakha k is Kheecha Taani me Saas ko Harana ka matlab ye hai k Maine Apni Maa'n ko hara diya to Fir uski Aqal thikane rahegi aur Kheecha Taani ke Mahol ko nahi banne degi,*

*★_ (7) Khawind se Nanad Ki Buraiya'n Hargiz na kare- Chugal Khori se bache, Chugliya'n karna Allah Rabbul izzat ke Yaha'n intehayi Napasandida kaam hai, Agar Wo ghar ke andar koi kami Kotaahi dekhe bhi Sahi to Khawind ke Saamne Saas Nanad ki Buraiya'n na kare, Bhai ke Zehan me Behan ke bare me kisi qism ki baat bithana aur uska Tasavvur kharab karna k Bhai ke Dil se Behan ki Muhabbat hi nikal jaye, Shar'an Ye bhi Jaa'iz nahi, Agar ye us Ghar me Kotahiya'n dekhti hai to Bahu ko chahiye k Ye bhi Dil bada kare, na Mayke me bataye na Apne Khawind ko bataye,*

*★_ Thode hi dino me jab ye Apne Ghar me Adjust ho jayegi to Fir Allah Rabbul izzat use moqa denge, Ye Mahol ko bhi Achchha bana legi aur Ye Ghar ke Logo'n ke Dilo'n me Apna Muqam bhi paida kar legi, Chuna'che Usko Chahiye k ibtidayi Dino me Khamosh rahe, Bas jo dekhe Apni Zuban ko band rakhe, Ye baat So Fisad Sachchi hai k Goongi aur Behri Bahu se koi bhi Ladayi nahi karta, Har koi Apne Aapko Aman me Samajhta hai, To isko bhi chahiye k ibtidayi Chand dino me Goonga Behra ban kar guzaar le taaki Doosre Bande uske Qareeb ho sake,*

*★_(8) _ Khawind se Alag Makan ka Mutalba na kare:- Khawind ko Hargiz ye na kahe k mujhe Alag Makaan chahiye ya ye k mujhe Mayke Chhod kar aao, Apni Taraf se koshish kare k maine is Aabaad Ghar ko Aabaad rakhna hai, Haa'n Waqt ke Saath Saath Allah ka banaya hua Ek Nizaam hai, Ek Bachche ki Shaadi hoti hai fir Doosre Bachche ki Hoti hai, Ek Bachche ka Alag Ghar banta hai, Fir Doosre ka Alag Ghar banta hai, To aane Wale Waqt me Alag Ghar to Har Ek ka Banna hi hota hai aur nahi To Saas Budhi hoti hai Jab Wo Qabr ka Kona ja kar Aabaad karti hai to Bahu ka Wese hi Alag Ghar ban jata hai, to is bare me Bahu ko itna pareshan hone ki zarurat nahi, Yahi Samjhe k Jitna Khidmat ka moqa Allah ne mujhe diya Mai'n is Sa'adat se Apne Aapko kyu mehroom hone du'n? To is Tarah Ghar ke Ladayi Jhagde khatm ho jayenge,*

*★_(9) Khawind se Jhagda na kare :- Ka'i dafa Esa hota hai k Saas ki vajah se Ya Nanad ki vajah se Bahu Tang hoti hai to Wo Apne Khawind ko Shikayat lagati hai aur Apne Khawind ke Saath bhi ulajhna Shuru ho jati hai, Khawind ke Saath Jhagda Karna Bivi ki Zindgi ki Sabse badi galti hoti hai, isse badi galti Bivi Apni Zindgi me nahi kar sakti k Jo uske Sar ka Saaya hai Uski Taqwiyat ka Sabab hai, uski Izzat ka Nigra'n hai, Usi Bande ke Saath Jhagda Shuru kar de,*

*★_ To Bahu ki Kotahiyo'n me se Ye Ek badi Kotaahi hoti hai k Maamlaat to Saas aur Nanad kharab kar rahe hai'n aur Ye Apne Khawind ke Saath Moo'nh Basor kar aur Rooth kar Beth jati hai, Ab Khawind ibtidayi Shadi ke Dino me Mohabbat Pyar ke mood me hota hai aur Bivi Sahiba ne Shakl banayi hoti hai, To Ulta Khawind ke Dil me bhi Ye Apne Liye jagah Kam kar bethti hai, Ye Galti bhi Hargiz nahi karni chahiye,*

*★_(10) Tanqeed Ko Sabr Se bardasht Kare- Bahu Ko ye bhi Sochna Chahiye k Mai'n is Ghar me Nayi aayi hu'n aur Har Nayi Cheez ko Aazmaya aur Parkha jata hai, Yahi Bahu Apne Liye Sone Ka Zever khareedti hai to Kitna Parakhti hai, To Ghar me Ek Naya insaan aaya hai to Har Banda usko dekhega, Jaanchega k Ye kaise bethta uthta hai ? Kaise Bolta hai ? Kaise uski Zindgi ke Shab v Roz hai'n, To wo is baat ko Samjhe k Shaadi Ke ibtidayi Dino me mujhe kis Nazar se dekha jayega? Aur Agar koi baat ghar ke Log mere bare me kar dete hai'n to ye Galat nahi hoti hai,*

*★_ Fir ye bhi Samjhe k Saas Umr me zyada hai aur Jitni Umr Zyada hoti hai utna hi Bande ke Andar Tanqeed Ka Maadda bhi zyada ho jata hai aur Chidchida pan bhi zyada ho jata hai, Lihaza us Chidchida pan ko umr ka Taqaza Samjhe, Ye bhi Soche k Ghar me jab Mai'n Galti karti thi to Kai martaba meri Ammi mujhe Thappad bhi laga deti thi to Mai'n Bardasht karti thi ? To Agar Sagi Maa'n ka Thappad bhi bardasht kar leti thi to kya Saas ka Samjhana Bardasht nahi kar Sakti, Saas ke Samjhane per bhi usko Gussa aa jata hai to ye bhi Ek Kotaahi hoti hai,*

*★_(11) Shohar ke Maal per Faqat apna Haq na Samjhe:- Kai martaba Bahu ye Samjhti hai k Khawind jo kama Raha hai wo to Ba Haisiyat Bivi Mera Haq hai, Ab ye Maa'n Baap aur Behan Sabka uske Kandho per kyu bojh pad gaya hai? To is Miya'n ke Kandhe per Ye Bojh pehle se tha, Ab To nahi pada, Ye aane Wali Ladki ki Galat baat hoti hai k Wo Apne Khawind ke Maa'n Baap ko uske Sar ka Bojh Samjhe, Ye Wo Rishte Naate hai'n Jinko nibhana hota hai, Shaadi ke baad ye To nahi ho jata k Banda Maa'n Baap Behan ko Bhool jaye, To Ladki ye Galti kabhi bhi na kare k Apne Ghar ke in Afraad ko Apne Khawind ke Sar ka Bojh Samjhe,*

*★_(12) Sasural me Mayke ke Faza'il na bayan karti rahe:- Ye bhi Jhagde ki Buniyad hoti hai k Sasural ke Ghar me Koi baat dekhi, Foran keh uthegi Meri Ammi Abbu ke Ghar me to Ese nahi hota tha, Hamare Ghar me to Esa hota tha, Wo to hota tha, Ab Aap Sasural me aa chuki hai'n, Sasural me aa kar Bahu ye Soche k Ab to mera Ghar ye hai, To Bahu ki Galtiyo'n me se Ek Badi Galti ye bhi hai k Wo Sasural me beth kar Din Raat Apne Mayke ke Faza'il bayan karti hai, Jo Fir Jhagde Ka Sabab ban jata hai, Jo uska Naseeb tha Wo use Mil gaya, Ameer Ghar ki Beti thi, Ab Jaha'n aa gayi hai Waha'n Apne Aapko Adjust karne ki koshish kare,*

*★_(13) _ Sasural Ki Khushi Gami me barabar Shareek ho :- Fir Ek Galti ye bhi karti hai k Sasural Ke Ghar me Jo Khushi aur Gami hoti hai Usme Barabar ki Shareek nahi hoti, pichhe pichhe rehti hai, To jab unki Khushi aur Gami me barabar ki Shareek nahi hogi to Saaf Zaahir hai k Fir unko Aap per aitraaz ka moqa milega,*

*★_(14) Doosro Ki Toh me na rahe- Naye Ghar me aa kar Logo'n ke Halaat ki Toh me lage rehna, Tajassus me rehna k meri Nanad Kaha'n se aati hai Kaha'n jati hai ? Kiske Phone aate Hai'n ? Meri Saas kya karti hai? Mera Sasur kya karta hai? Saas aur Sasur ke darmiyan jhagde to nahi ? Is qism ki Toh me lag jana intehayi bura kaam hota hai, Ye Shar'an bhi Haraam hai, Shari'at ne farmaya - Tajassus me na pado, Doosro ke mamlaat me Taang Adana ye Aqalmandi nahi hoti Apne kaam se kaam rakhe, Doosre ke Halaat ki Toh me rehna aur Doosro ke Saamne unke aibo ko kholna, Shari'at ne is Cheez se mana kar diya hai,*

*★_(15) Doosro per Roab chalane ki bajaye Dil Jeetne ki koshish kare- Kai dafa ye bhi dekha k Bahu jab Ghar me aati hai to ye Samajhti hai k Mai'n To Bade Bhai ki Bivi hu'n Lihaza Ab ye meri Nanad jo hai ye to meri Khadima hai, Us per Roab chalati hai, Nanad per Roab chalane se pehle uska Dil Jeetna intehayi zaroori hota hai, Bas Ye Har Ek ke Saath Muhabbat Pyar ka Talluq rakhe aur Apne Khawind ko pur Sukoon Zindgi de, Bahu ko ye baat Sochni Chahiye k Allah Rabbul izzat ne Qur'an E Paak me Shaadi karne ka Buniyadi Maqsad farmaya- Taaki Tumhe Apni Biviyo'n se Sukoon mile _,*

*★_ To Jo Bivi Apne Khawind ko Sukoon de hi nahi Sakti Wo Apni Zimmedari poori nahi kar rahi, To Apne Miya ko Jhagdo me uljha lena, Har Waqt uske Saamne yahi baate chhed kar Beth Jana, intehayi Na Layaqi hoti hai, Bivi ko chahiye k Apne Khawind ko Esa Pur Sukoon mahol de k Daftar aur Dukaan per bethe hue bhi uska Ji chahe k Mai'n Abhi Apne Ghar Chala jau'n, To Ghar ke Mahol ko Esa bhi nahi banana chahiye k Khawind Ghar me aa kar ulta Pareshan ho jaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Roz E Mehshar Log Apne Gunaho'n Ke Mutabiq Uthaye Jayenge:-*

*★_ Qayamat ke Din Log Apne Apne Gunaho'n ki Shakl me uthaye jayenge, Hadees Paak me aata hai k Jo Banda Na insaafi karne Wala hoga, Allah Ta'ala usko Faalij Zada Shakhs ki Soorat me Qayamat ke Din khada karenge, Jo Makhlooq se Sawal karta hoga Allah Ta'ala usko Esa banayenge k Uske Chehre Ke Ouper Haddiya'n hongi Gosht Hoga hi nahi, Door se pata chalega k Ye Allah ke Dar ko Chhod kar Makhlooq se maangne wala hai, Allah Ta'ala ne uske Chehre Ki us R'anayi ko khatm kar diya hai,*

*★_ Jo Duniya me Takabbur ke Bol bolne Wala hoga Allah Ta'ala usko Qayamat ke Din Chyunti (ant ) jesa Sar ata karenge, Doosre Log uske Ouper Apne Paa'nv Rakh kar jayenge, Allah Ta'ala unko Makhlooq ke Paa'nv me Masal kar unko batayenge k Tumhare Takabbur ka Humne Tumhe ye Badla diya, Jo Log Duniya me Jhoot bolte honge Qayamat ke Din unki Zubaan Ou'nt ki Tarah lambi hogi aur Latki hui hogi, Jo Gunaho'n bhari Zindgi guzarenge unke Chehre Siyaah ho'nge, Jo Neko kaar honge Unke Chehre chamakte hue ho'nge,*

*★_ Jo Shakhs Doosro Ki Geebat karta hoga, Uske Lambe Lambe Nakhoon ho'nge aur Qayamat ke Din Apne Chehre ki Kharish kar raha hoga, itna Kharish karega k uska Gosht kat jayega aur Haddiya'n Nazar aane lage'ngi, aur Jo Shakhs Doosro Ke Saath Chugalkhori ka maamla karta hoga to Qayamat ke Din Allah Ta'ala Esa khada karenge k uske Ek ki Jagah Do Chehre ho'nge,*

*★_ To jesa Hum Duniya me karenge Wesa Qayamat Ke Din payenge, isliye Hume Chahiye k Hum Shari'at aur Sunnat ke Ahkaam ko Saamne Rakhe'n aur Ghar Ke Andar Muhabbat Sukoon ki Zindgi Guzarne ki Koshish kare'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ladki Ki Zindgi Ki Assignment:-*

*★_ Achchhi Bahu Wo hoti hai k Mayke wale bhi uski Tareef kare'n, Sasural Wale bhi uski Tareef kare'n, Bachchi ko ye Samajhna chahiye k ye mere liye Assignment ( Mashq) hai, Mai'n Mayke me Esi zindgi Guzaru'n k jab meri Shaadi ho to Mayke Walo me Meri Maa'n Behan ki Zubaan se meri Tareefo ke pul bandh rahe ho'n aur Jab Mai'n Sasural me Jau'n to Mai'n Esi ban kar rahu'n k Meri Saas aur Nanad ki Zubaan se meri Tareefe ho rahi ho'n,*

*★_ Ye Bachchi ki zindgi ki Assignment hoti hai, Jab wo ye Zimmedari le kar jayegi aur chahegi k meri Tareefe unki Zubaan se ho'n to Yaqinan wo unke Saath Muhabbat Pyar se rahegi, Jhagde aur Fasaad ki bajaye gharo ke andar Muhabbate ho'ngi, Ulfate ho'ngi, Duniya ki Zindgi bhi Achchhi guzregi, Ye Chhota sa Ghar insaan ki Chhoti si Jannat ban jayega aur Allah Rabbul izzat bhi khush ho'nge,*

*★_ To insaan ne Duniya me bhi Pur Sukoon Zindgi guzari, Muhabbato aur Chahato ki Zindgi guzari aur uske badle me Allah Ta'ala ne uski Aakhirat ko bhi bana diya, Lihaza Sasural ke Jhagdo me Saas Maa'n ban kar rahe aur Bahu ye Soche k Ab Jo Muhabbat mujhe Saas se mil Sakti hai Wo Muhabbat mujhe kisi aur se nahi mil sakti, jab is Tarah Dono Ek Doosre ke Qareeb aayengi to Ghar ke Jhagde bilkul hi khatm ho jayenge,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Sabaq Amooz Waqi'a-:-*

*★_ ibne Qayyim Reh. ne Ek Ajeeb Waqi'a Likha hai, farmate hai'n k Mai'n Ek dafa Ek Gali se guzar raha tha, Maine Ek Ghar ka Darwaza khula dekha, Ek Maa'n Apne Bete se Naraaz ho rahi thi, Use Daa'nt rahi thi, Keh rahi thi k Tu Nikatthu hai, Ziddi hai, Koi kaam nahi karta, Bilkul baat nahi maanta, Kaamchor ban gaya hai, Agar Tune meri baat nahi maani to is Ghar se dafa ho ja, Ye keh kar Maa'n ne Jo usko Dhakka diya to Wo Bachcha Darwaze se bahar gira, Maa'n ne Gusse se Apne Darwaze ko band Kar liya,*

*★_ Farmate hai'n - Mai'n bhi Us Bachche ko dekhne laga, Wo Ro raha tha, Use maar padi thi, Jhidkiya'n padi thi, fir Thodi der me usne gali ke ek Taraf ko jana shuru kiya, Aahista Aahista Qadmo se chal raha tha, Kuchh Soch bhi Raha tha, Jab Wo Gali ke mod tak pahu'ncha to maine dekha k Wo Kuchh Sochta raha aur Fir usne Waapas aana Shuru kiya, Hattaki Apne hi ghar ke Darwaze per aa kar wo Beth Gaya, Thodi der ke liye use Neend aa gayi,*

*★_ Kuchh der ke baad Walida ne kisi kaam ke liye Darwaza khola to dekha Wo Abhi Darwaze hi per mojood tha, Maa'n Ka Gussa kam nahi hua tha, Usne Fir Daa'ntna shuru kar diya, Jate kyu nahi ? Tumne Mera Dil jalaya hai, Kaam bilkul nahi karte, Jab Maa'n ne fir Daa'nt Dapat shuru kar di Bachche ki Aa'nkho me Aa'nsu aa gaye, kehne laga - Ammi ! Jab Aapne mujhe Ghar se Dhakka de diya tha, Maine Socha tha k Mai'n Yaha'n se chala jata hu'n, Mai'n kisi ka Nokar ban kar reh jaunga, Koi mujhe khana de dega, Rehne ki jagah de dega, Maine Socha tha k Mai'n Bazaar me ja kar Bheek Maa'ng leta hu'n, Mujhe ye Sab cheeze mil jayengi aur Mai'n Gali ke Mod per bhi chala gaya tha lekin Waha'n Ja kar mere Dil me khayal aaya k mujhe khana bhi milega, Kapde bhi milenge, Rehne ki jagah bhi mil jayegi Lekin Ammi jo Pyaar mujhe Aap deti hai'n ye Pyaar mujhe Duniya me koi nahi dega, Ye Soch kar Mai'n Waapas aa gaya, Ammi Tu mujhe maare bhi to Mai'n Tera hi Beta, Ghar me rakhe to bhi tera hi Beta,*

*★_ Jab Bachche ne ye baat kahi to Maa'n ki Mamta josh me aa gayi, Usne Bachche ko Apne Seene se laga liya, Maathe ka bosa diya k Beta Tum Agar ye Samajhte ho k Jo Muhabbat Tumhe Mai'n de Sakti hu'n Wo Tumhe aur koi nahi de sakta to Aao mere Ghar me zindgi Guzaro,

*★_Imaam ibne Qayyim Reh. Farmate k jab isi Tarah insaan ye Soche k kya mujhe Doosre Muhabbat denge ? To fir unke Dil me insaan ki Qadr hoti hai, is Waqie ko Zehan me rakh kar Bahu ye Soche k is Ghar ke andar ( Jaha'n Mai'n Apne Khawind ke Ghar me aayi hu'n) jo Muhabbate mujhe Saas de Sakti hai wo Muhabbate mujhe koi nahi de sakta, jab is Tarah Wo Ghar me aa kar rahegi to Yaqinan usko Maa'n Samjhegi, uski Khidmat karegi aur Fir Saas bhi usko Apni Beti Samjhegi,*

*★_ Allah Rabbul izzat Gharo ke in Jhagdo se hume Mehfooz farma le aur is Fasaad ke Azaab se Allah hume Mehfooz farma kar pur Sukoon Zindgi Naseeb farmaye Taaki Duniya me bhi hum Allah ke Nek Bande ban kar Zindgi guzaar sake aur Aakhirat me bhi Allah ke paas ja kar hum Shurkhru ho Sake,*

*★_ Dua hai k Allah Rabbul izzat is bayan ke andar Jo baate Kahi gayi uske Mutabiq hume Apni Zindgiya'n dhaalne ki Tofeeq ata farmaye, Ab ye nahi hona chahiye k Saas Bahu ki Zimmedariya'n yaad kar le aur Soche k use Yu'n karna Chahiye, Yu'n karna chahiye tha, aur Bahu Saas Ki Zimmedariya'n yaad kar le aur Gharo me ja kar fir jhagda Shuru kar de, Aap ye nahi karti Aap ye nahi karti, Balki Haq banta hai k Saas Apni Zimmedariyo ko yaad kar le k Mujhe ye karna hai, Nanad Apni Zindgiya'n aur Bahu Apni Zimmedariya'n yaad kare k Mujhe ye karna hai, Tamaam Khawateen Apni Zimmedariyo ko poora karne ki koshish Kare'n,*

*★_ Jab Aap Ye karengi Jo Aap kar Sakti Hai'n dekh lena Allah Rabbul izzat fir wo kar denge Jo Allah ke Akhtyar me hai, Allah Doosro ke Dilo me Muhabbate daal denge, Ghar ke Jhagdo se Allah Nijaat ata farmayenge, Allah Rabbul izzat hume in Jhagdo ke Azaab se mehfooz farma kar hume Ulfat v Muhabbat ki Zindgi guzarne ki Tofeeq ata farmaye,*

 *®_ Hazrat Maulana Peer Zulfiqar Naqshbandi Da.Ba._,*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻 WhatsApp Channel Follow Kijiye _,*
╥────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*    
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,* 
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments