NIKAAH - (ROMAN)

🎍﷽ 🎍
*❥ NIKAAH ❥*
*⇰ Nikaah ki Ta’reef,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _ Nikaah Ka Lugvi Ma'ani :- Lugat me Nikaah Do Ma'ano Ke Liye istemal hua hai, (1) Aqd aur (2) Vati (Yani Hambistari),*

 *✪ _Nikaah Ki istlaahi Ta'reef :- Istlaahi Shari'at me Nikaah ka Matalab ye hai k kisi Esi Aurat ko Aqd E Nikaah me Lana, Jisse Nikaah karne me koi shara’i Muman’at na ho taki uske saath Halaal Tareeqe se jinsi Taskeen Haasil ki ja sake,*

*✪_ Nikaah Ek Esi ibaadat hai Jo Abul Bashar Hazrat Aadam Alaihissalam se le kar Aaj Tak jaari hai, Jannat me bhi ye silsila jaari rahega, aur Ambiya Alaihissalam ki bhi sunnate mustamrah hai,*
*↳® Raddul Muhtaar (Fatawa Shami)- 3/3,*

*⇰Nikaah Ki ‘Aqsaam*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ Farz ⇛ Kisi shakhs per Shehwat ka is qadar galba ho k agar Nikaah na kare to zaroor Zina Kaari me mubtila ho ja’ega, Aur usko ba- qadre zarurat Nafqa aur Mahar per haqeeqatan ya hikmatan Qudrat bhi haasil he to Shar’an us per Farz he k Shaadi karke apni Asmat ki hifazat kare,*
*↳® Raddul Muhtaar- 3/6*

*✪ _Wajib:⇛Agar kisi per Shehwat ka galba he k Shaadi na kare to Zina me mubtila hone ka khof he, lekin yaqeen nahi, Aur usko Bivi ke Naan v Nafqa per Qudrat bhi haasil he, Ese Shakhs per Shaadi karke Apni Asmat ki hifazat wajib he,*
*↳® Raddul Muhtaar- 3/6*

*✪ Sunnat:⇛ Agar koi Shakhs Nikaah ke Qabil ho gaya, Naan Nafqa per Qudrat haasil he aur humbistari per bhi Qudrat he, Nikaah se koi aur shara’i ma'ana mojood nahi, Ese Shakhs ke liye Nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon he, Kyuki ye Rasulullah ﷺ ka daa’imi Amal he Aur Shaadi se Eraaz karne walo per Aap ﷺ ne radd farmaya, Lihaza Esa Shakhs itteba e sunnat ki Niyat se Apni Asmat ki hifazat aur Saaleh aulaad ke husool ki Niyat se Shaadi kare to Ajro Sawab ka haqdaar hoga,*
*↳® Raddul Muhtaar- 7/3,*

*✪_ Haraam:⇛Agar Kisi Shakhs me Bivi ke Huqooq Ada karne ki Taaqat na ho, maslan Namard he, ya Naan Nafqa per haqeeqatan ya hikmatan qaadir nahi, aur mizaaj ki sakhti vagera Ki vajah se usko yaqeen he k Bivi ke huqooq Ada nahi ho sakenge,To Ese Shakhs ke liye Shaadi karna Haraam he,*
*↳® Raddul Muhtaar- 7/3,*

*✪_ Makrooh Tehrimi:⇛ Jis Shakhs ko Bivi per zulm ka yaqeen to na ho Lekin galib gumaan yahi he k zulm ho ja’ega,To Ese shakhs ke liye jab tak Ada e Huqooq per Qudrat na ho Nikaah karna makrooh Tehrimi he,*
*↳ ® Raddul Muhtaar- 7/3,*

*✪ Mubaah:⇛Agar kisi Shakhs ko Huqooq E Zojiyat ki adaaygi se qaasir hone ka Andesha ho, Uska yaqeen ya zan galib na ho to uske liye Shaadi karna mubaah he,*
*↳® Shaami, 7/3,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Nikaah Ki Ahmiyat ,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪⇛ Rasulullah ﷺ ne farmaya k Ey Jawano ki jama'at, Tumme se Jo Shakhs mujam’at aur uske lawazmaat ( Yani Bivi Bachcho ka naan Nafqa aur Mahar Ada karne) ki Qudrat isteta’at rakhta ho, Use chahiye k wo Nikaah kare, Ky'unki Nikaah se Nazar ki Hifazat hoti he aur Sharmgah mehfooz ho jati he,*
*→ Aur Jo shakhs Jima’a ki lawazmaat ki isteta’at na rakhta ho use chahiye k Roze rakhe, Kyuki Roze rakhna uske liye khassi karne ka faayda dega_,”*
*↳® Bukhari, Muslim,*

*✪_ Yani Jis tarah Khassi karne se Jinsi haijaan khatm ho jata he usi tarah Roza rakhne se bhi jinsi haijaan kam ho jata he,*

*✪⇛ Tashreeh:- is hadees me Nikaah ke do bade faayde Bayan hue he’n:-*
*⇛ 1, Haraam Jagah Nazar daalne se Aa'nkho ki hifazat,*
*⇛ 2, Haraamkari ke Zariye Shehwat Raani se hifazat,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Paak Damani ke liye Nikaah ki Barkat:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪⇛ Rasulullah ﷺ ne farmaya k Teen shakhs Ese he’n jinki Madad Allah ta’ala per ( uske vaade ke mutabiq ) wajib he: –*
*→1- Ek to Wo Makatib Jo Apne Badal kitaabat ada karne ka iraada rakhta he,*
*→2- Wo Nikaah karne wala Jo Haraam kari se bachne ki niyat rakhta he,*
*→3- Allah ta’ala ki Raah me Jaddo Juhad karne wala,*
*↳® Ravaah Tirmizi v Nasa’i v ibne maaja, Mishkaat 2/267,*

*✪⇛ Faayda:- Jo shakhs mahaz Paak Daamani ki khatir Nikaah ka iraada rakhta ho uske paas Bahut Zyada Maal v Daulat na ho tab bhi usko pareshan na Hona Chahiye aur iski vajah se Shaadi me Takheer Nahi karna chahiye balki munasib rishta talash kar ke Foran rishta kare,*
*→ Allah ta’ala Apni Gaibi Madad se Tamaam zaruriyaat ko poora farma’enge aur in sha Allah Gina ata farma’enge,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Nikaah me Takheer ke Mufasid aur Kharabiya’n:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Hakeemul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi Rahmatullahi Ta’ala ne farmaya k Baalig hone ke baad Kunwari ladkiyo’n ki jaldi Shaadi na karne me bahut se mufasid aur kharabiya’n saamne aayi he’n, Kahi ladkiya’n kisi ke saath bhaag gayi'n, Agar kisi shareef khandaan me Esa na bhi ho tab bhi wo Ladaiya'n un sarparasto ko dil hi dil me kosti he’n aur chu'nki wo mazloom he’n Lihaza unka kosna khaali nahi jata, ( Kyu'nki Hadees me aata he k mazloom ki Bad -Dua se Daro kyu'nki uske aur haq ta’ala Shanhu ke darmiyan koi Hijaab nahi )*

*✪_ Takheer ki vujuhaat:- Jahez ke intezar me Nikaah me takheer, Moq’a ka Rishta na milne ka uzr, Laa’iqe Damaad ki zehni Tarasheeda Sifaat, ( Hasab nasab, Akhlaaq, Husno Jamaal, Maalo Daulat vagera )*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Aulaad ki Shaadi me Takheer ka Gunaah_,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Rasulullah ﷺ ne farmaya k Jis shakhs ke Yaha'n Ladka paida ho to use chahiye k wo uska Naam Achchha rakhe aur use Nek Adab sikhaye ( yani Shari'at ke Ahkaam aur adaab, Zindgi ke islami Tareeqe Sikhaye Taki wo Duniya v Akhirat me kaamyaab aur Sar buland ho ) Fir wo Baalig ho jaye to uska Nikaah karade,*

*→ Agar Ladka Baalig ho ( aur Shaadi ke kharche per qudrat na rakhta ho ) aur uska Baap ( uske Nikaah ka kharcha Bardasht karne per Qudrat rakhta ho uske bavjood) uska Nikaah na kare aur fir wo Ladka Burayi me mubtila ho jaye to uska Gunaah Baap per hoga, ”*
*®_ Ravaah Bayhiqi, Mishkaat- 2/271)*

*✪_ Faayda:- Aulaad Ki Poori Tarbiyat ye hai k Unko pehle Din islami Zindgi Sikhaye, Taki wo ibadaat, Ma'amlaat Halaal v Haraam ki Tameez aur A'ala Akhlaaq Seekh le'n, aur Jab Taleem v Tarbiyat ka ye Marhala guzar jaye to uske baad Walden ka Bada Fariza ye hai k unki Shaadi ki Taraf Mutavajjah ho'n, Taki wo Jinsi Jazbaat ki Maglubiyat ka Shikaar ho kar Buraiyo'n Ke Raaste per na lag Jaye'n _,*

*✪_ Chuna'che is Farize ki Ahmiyat ko batane aur is baat ki Takeed ke liye bator Tajdeed farmaya gaya k Agar kisi Shakhs ne Apne Baalig Ladke ki Shaadi nahi ki aur Wo Ladka Jinsi Be-Raah Ravi ka Shikaar ho kar Badkaari me mubtila ho gaya to uska Gunaah aur Wabaal Baap par Hoga_,*

*✪⇛isi Tarah Ladki Ke Baalig hote hi Nikaah Kardo, Agar (Jod ka rishta milne ke bavjood ) uska Nikaah na kare, Fir wo Ladki burayi ( yani badkaari vagera ) me mubtila ho jaye to uska gunaah uske baap per he, ”*
*®_ Mishkaat, 2/272,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Nikaah Ke liye Deendar Shakhs ka intkhab,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya k Aurat se 4 Vajah se Nikaah kiya jata he:-*
*→ 1- Sharafat ki Vajah se,*
*→ 2- Maal ki Vajah se,*
*→ 3- Khoobsurti ki Vajah se,*
*→ 4- Deendari ki Vajah se,*
*"_ Ey Mukhatib! Tumko Deendar Aurat se Nikaah karna chahiye,”*
*®_ Mishkaat, 2/267,*

*✪⇛ Faayda:- Dekha jata he k log Nikaah me Zyadatar maal ko dekhte he’n aur sabse kam Deen ko Halanki maal aur husno Jamal ki taraf tavajjoh kam honi chahiye aur uske muqable me Deendari ki taraf zyada iltfaat hona chahiye,*

*✪⇛ Ky'unki Deen ki Vajah se Aapas ka talluq achchha rehta he, isme zojen ko sukoon milta he, ek doosre ke huqooq pehchante he’n aur Ada karte he’n, Jisse dono ki Zindgi raahat v sukoon ki guzarti he,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Nek Saleh Aurat ki Sifaat -*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Rasulullah ﷺ ne farmaya:- ”Momin Allah ta’ala ke Taqwe ( Khofe Khuda ) ke baad Jo sabse behtar cheez apne liye muntakhab karta he wo Nek bakht khoobsurat Bivi he,*

*→Nek Bivi ki Khususiyat ye he k agar (Shohar ) usko koi hukm deta he to wo uski Tameel karti he,*
*→ Jab Shohar uski taraf dekhta he to wo ( apne husn aur pakiza seerat se ) uska dil khush karti he,*
*→ Jab wo usko qasam deta he to wo us qasam ko pura karti he, ( yani apni khwahish per Shohar ki khwahish ko muqaddam rakhti he )*
*→ Aur Shohar ki gair mojoodgi ki surat me apni Asmat aur Shohar ke maal ki hifazat karti he,”*
*®_ Mishkaat, 2/268,*

*✪_ Faayda :- is Hadees me ( Jo part 16 me guzri ) Nek Saleh Aurat ki Sifaat ka bayaan hua he, :-*
*"_ 1- Shohar ki ita’at karne wali,*
*"_ 2- Khidmat karke Shohar ka Dil khush karne wali,*
*"_ 3- Apni khwahish per Shohar ki khwahish ko muqaddam rakhne wali,*
*"_ 4- Apni Asmat v Paakdamani ki hifazat aur uska khayal rakhne wali,*
*"_ 5- Shohar ke Maal ki hifazat karne wali,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Nikaah sahi hone ki shart,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Majlise Aqd me ladka aur ladki se 2 shara’i gawaho’n ki mojoodgi me baqa’ada iyjaab v qubool karwaya jaye, Ladki se kaha jaye k ”Aapka Nikaah Fala’n bin Fala’n se kar diya, Kya aapki taraf se ijazat he ? Wo ( ladki ) ijazat de de to uske baad Ladke se kaha jaye k” Fala’n bint Fala’n ko itne Mahar ki evaz aapke Nikaah me de diya, Kya aapne qubool kiya? Wo ( ladka ) jawab me kahe k” Haa’n mene qubool kiya ”*

*✪⇛ Eyjaab v Qubool aur uske sahi hone ki Shara’it:- Nikaah Eyjaab v Qubool ke zariye mun’aqd hota he, Ye Eyjaab v Qubool dono maazi ( past ) ke lafz ke saath hona chahiye,( Yani esa lafz jisse ye samjha jaye k Nikaah ho chuka he ) Jese kisi ne gawaho’n ki mojoodgi me kaha k mene apni Ladki ka Nikaah tumhare saath kar diya, aur usne Jawab me kaha k mene qubool kiya,*

*✪_ Ya dono me se ek Lafz maazi ( past ) ka ho, Jese kisi ne kaha k apni Fala ladki ka Nikaah mere saath kar do to doosre ne Jawab me kaha k mene kar diya, Tab bhi Nikaah ho gaya,*
*®_ -Hidaya, 2/325,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Gawaho’n Ki Mojoodgi me Nikaah hona,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Nikaah mun’aqd hone ke liye ye bhi zaruri he k. Kam se kam 2 mardo ke ya 1 mard aur 2 aurto’n ke saamne Nikaah kiya jaye, Wo Tamaam gawaah ek hi majlis me dono ( Ladka aur Ladki ) ke Eyjaab v Qubool apne kaano se sune, Nikaah ke maamle ko dekhe aur unko maloom ho k ye Eyjaab v Qubool karne wale aapas me Nikaah kar rahe he’n, koi hansi mazaaq nahi ho raha,*
*®_ Raddul Muhtaar -3/21,*

*✪⇛ Nikaah ki ijazat ke waqt Gawaah banana:- Ladki agar majlise Aqd me mojood na ho balki ghar me ho to esi surat me umuman ladki ke Walid, Chacha ya Mamu vagera koi mehram rishtedar ijazat lete he’n, Fir majlise Aqd me Nikaah padhane wale ko wo ijazat muntkil ki jati he,*

*✪_ Ladki se ijazat Talab karte waqt gawaho’n ka mojood hona mustahab he, zaruri nahi, Albatta Nikaah padhate waqt 2 gawaho’n ki mojoodgi zaruri he, Jo Eyjaab v Qubool ke alfaz ko sune aur samjhe,*
*®_ Raddul Muhtaar,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Adle Badle ki Shadi,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Adle Badle ki Shadi ki Asli Shaql to ye he k koi shakhs apni Behan ya Beti ka Nikaah doosre ke saath is shart per karde k woh apni Behan ya Beti us pehle shakhs ke Nikaah me de, Alag se koi Mahar vagera muqarrar na kiya jaye balki mahaz ek Ladki ko doosri Ladki ka evaz aur Mahar qaraar de diya jaye, Esa Karna Shar’an Makrooh Tehrimi aur na-jaa’iz he, Agar kisi ne esa Kar liya to har ek ke zimme apni Bivi ka Mahar misl laazim hoga,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/106,*

*✪⇛ Adle Badle ki Shadi Ki Kharabiya’n:- Adle Badle ki Shadi me agar dono taraf ki ladkiyo ke liye Mahar muqarrar bhi ho to agarche ye Nikaah haqeeqat ke lihaaz se sahi hoga, Fir bhi esi Shadiyo me amuman dekha gaya he k dono khandano ke ta’alluqaat kharab ho jate he’n,*

*✪ _Agar ek taraf ki ladki ki apne shohar se kuchh anban ho jaye to iska asar foran doosri taraf ki ladki per padta he, Chahe unki zindgi sahi guzar rahi ho, Esa ek Waq’a nahi balki dasiyo waq’aat he’n jinka mushahida hota rehta he,*

*✪⇛ isliye mera musalmano ko yahi mashwara he k Adle Badle ki Shadi ka maamla na kare, Chahe Wo Mahar adaa kare tab bhi koshish kare'n k Adle Badle ki na ho,,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Kafu ( Barabari ) me Nikaah karna,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shariyat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam me Nikaah ka maqsad ta-hayaat Miya Bivi ki haysiyat se ek saath zindgi guzaarna aur nasle insani badhana he, Iske liye zaruri he k zojen me muhabbat aur dono ke mizaaj me muwafqat ho, Isi vajah se Shari’at mutahara ne hukm diya he k Nikaah me Kafu ( Barabari ) ka lihaaz rakha jaye,*

*✪_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- ”Aurto’n ka Nikaah Kafu me hi Karo, Unki shadi unke wali ki mojoodgi me hi Karo aur unka Mahar das dirham se kam muqarrar na Karo,*
*®_ Bayhqi,*

*✪⇛ Barabari aksar 5 Baato me dekhi jati he,- 1- Nasab, 2 – Islaam, 3- Deendari, 4- Maaldari, 5- Pesha,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*⇰Kafu ( Barabari ) ka Bayan*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ 1- Nasab me Barabari :- Nasab me barabari ye he k Shekh, Sayyad, Ansari aur Alvi sab ek doosre ke barabar he’n, Yani agarche Sayyad ka martaba auro se badkar he lekin agar Sayyad ladki ki Shekh ke yaha’n Shadi hui to ye na kahenge k barabari na hui,*
*®_ Sharah Bidaya, 2/300,*

*✪ 2- Musalman Hone me Barabari:- Musalmano me Barabari ka Aitbaar Faqat Mugal Pathan vagera aur Qaumo me Shekho, Sayyado, Alviyo me iska kuchh Aitbaar nahi hai, Jo sakhsh khud Musalman hai aur uska Baap Musalman Nahi tha, us Aurat ke barabar Nahi Jo khud bhi Musalman hai aur uska Baap bhi musalman, Aur Jo sakhsh khud Musalman hai aur uska Baap bhi musalman hai Lekin uska Dada Musalman Nahi, wo us Aurat ke barabar ka Nahi jiska Dada bhi musalman hai,*
*⇛Jiske Baap Dada Dono Musalman ho lekin pardada Musalman na ho to wo shakhs us Aurat ke barabar samjha jayega jiski Ka'i pushte Musalman ho'n,*

*✪_ Khulasa ye hai K Dada Tak Musalman hone me barabari ka Aitbaar hai, Uske baad Pardada aur Nigad Dada me barabari zaruri nahi hai,*
*®_ Aalamgiri, 1/310,*

*✪_ 3- Deendari me Barabari:- Deendari me barabari ka matlab ye he k Esa Shakhs Jo Deen ka paband nahi, Luchcha, Sharabi aur Badkaar ho, Nek bakht paarsa Deendaar Aurat ke barabar nahi samjha jaega,*
*®_ Aalamgeeri, 1/310,*

*✪ _4- Maal me Barabari:- Maal me Barabari ke ma’ani ye hai k bilkul muflis mohtaaj maaldar Aurat ke barabar ka nahi hai, Aur agar wo bilkul muflis nahi balki jitna mahar pehli Raat ko dene ka dastoor hai utna mahar de sakta hai aur nafqa bhi, to apne mel aur barabar ka hai agarche saara mahar na de sake aur ye zaruri nahi k jitne maaldar ladki wale hai'n wo bhi utna hi maaldar ho ya uske qareeb qareeb maaldar ho,*
*®_ Aalamgiri, 2/299,*

*✪_5 _ Pesha me Barabari⇛ Pesha me barabari ye he k Jolahe, Darjiyo’n ke mel aur Jod ke he’n, isi tarah Dhobi vagera bhi Darji ke barabar ke Nahi,*
*®_ Sharah Tanveer, 1/190,*

*✪⇛Deewana Pagal Aadmi hoshiyar aur Samajhdar Aurat ke mel ka nahi he,*
*®_ Raddul Muhtaar- 2/531,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Jin Aurto’n se Nikaah Haraam he,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Hurmat Ke 6 Buniyadi Usool :⇛Konsi Aurat kiske liye haraam he iski tafsili qawaneen ki buniyad 6 cheezo per he:-*
*★ 1- Nasbi Qarabat,( Baap aur Maa ka talluq )*
*★ 2- Raza’at,( Doodh ka Rishta )*
*★ 3- Musahrat, ( Sasural ka Rishta )*
*★ 4- Mankuhatul gair,( Yani Aurat ka kisi doosre Mard ke nikaah me Ya iddat me hona )*
*★ 5- Jima’a Baynul Ukhteen, ( yani kisi Mard ke Nikaah me pehle kisi esi Aurat ka hona jiske hote hue. doosri Aurat ka Nikaah me laana shar’an mamnu’a he )*
*★ 6- Shariyat ki taraf se Mard ke liye Jo tadaad muqarrar he, usse zyada Nikaah karna- maslan Azaad Mard ke Nikaah me 4 bivio’n ke hote hue Paanchvi Aurat se Nikaah karna,*

*✪_ Hurmat Ki Ayaate Quran:-*
*⇨ Tum per haraam ki gayi he’n, tumhari Maa’en, Tumhari Betiya’n aur Tumhari Behne aur Tumhari Fufiya’n aur Tumhari Khala’en aur Bhatijiya’n aur Bhanjiya’n aur Tumhari wo Maa’en jinhone tumhe Doodh pilaya aur Tumhari wo Behne Jo Dhoodh pine ki Vajah se Behne hui,*
*→ Tumhari Bivio’n ki Maa’en aur Tumhari Bivio’n ki Betiya’n Jo ki ( Aadtan ) tumhari parvarish me rehti he’n, un Biviyo’n se ho jinse tumne Sohbat ki ho,Aur agar tumne un Biviyo’n se Sohbat nahi ki ho to tum per koi gunaah nahi, Aur Tumhare un Beto ki Biviya’n Jo ki tumhari Nasl se ho, Aur ye k Tum do Behno ko ek saath ( Nikaah me ) rakho lekin Jo pehle ho chuka Allah ta’ala bade bakhshne wale aur bade Rehmat wale he’n,*

*✪_ Aur wo Aurte’n Jo k Shohar wali he’n Magar Jo ki tumhari mamlook ho jae’n, Allah ta’ala ne in tamaam ahkaam ko tum per Farz kar diya, Aur in Aurto’n ke Siva aur tamaam Aurte’n tum per halaal ki gayi he’n,*
*®_ Tarjuma–Bayanul Quran, Surah An-Nisa 23-24,*

*✪ Khulasa :- Baap ki Mankuha, Maa, Bivi ki Maa, Dadi, Pardadi, Nani, Parnani se Nikaah Haraam he, Beti, Poti, Parpoti, Navasi, Parnavasi, se Nikaah Haraam he,*
*→ Soteli ladki Jo doosre Shohar se ho aur Bivi apne saath layi ho agar uski Maa se humbistari hui to haraam ho gayi varna nahi,*
*→ Haqeeqi Behan, Maa shareeq, Baap shareeq, Doodh shareeq se Nikaah Haraam he, Baap ki aur Maa ki Behne, ( Fufiya’n aur Khalae’n ) se Nikaah Haraam he,*

*✪_ Bhatijiya’n ( Baap shareeq, Maa shareeq, Doodh shareeq teeno tarah ke Bhaiyo’n ki Betiya’n ) se Nikaah Haraam he, Bhanjiya’n ( Teeno tarah ki Behno ki Betiyo’n ) se Nikaah Haraam he, Bete ki Bivi, (Pote, Parpote, Navase, parnavase ki Biviya’n ) se Nikaah Haraam he,*
*→ Do Behno ko ek saath Nikaah me rakhna Haraam he, Jab tak koi Aurat kisi shakhs ke Nikaah me he Doosra shakhs usse Nikaah nahi kar sakta,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Woh Aurte’n Jinse Nikaah Halaal he,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Jin Aurto’n ka Pehle Zikr hua, Jinse Nikaah Haraam he, unke alawa doosri Aurte’n tumhare liye Halaal he, Maslan Chacha ki ladki, Khala ki ladki, Mamu ki ladki, Mamu v Chacha ki Biviya’n unki wafaat ya Talaaq dene ke baad, Moonh Bole bete ki Bivi jab wo talaaq de de ya wafaat pa jaye,*
*⇛ Ba-Sharte k ye Mazkoora Aqsaam kisi Rishte se Mehram na ho,*

*✪_ Bivi ki wafaat ke baad uski Behan se Nikaah Halaal he,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Rehmatul Aalameen ﷺ ki Tadaad E Azwaaj Ki Hikmat :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*★_ Hazrat Mufti Shafi Sahab Reh. Farmate hai'n k Huzoor Aqdas ﷺ ki Sifaat Sarapa Rehmat v Barkat hai, Tableeg v Ahkaam aur Tazkiya Nufoos aur Ablaag Qur'an Aap ﷺ ka Sabse bada Maqsad E Baisat tha, Aap ﷺ ne islam ki Talimaat ko Qaulan v Amalan Duniya me faila diya, Yani Aap ﷺ Zubaan se batate bhi they aur Amal bhi karte they, Fir Chu'nki insaani Zindgi ka Koi Shoba Esa nahi hai Jisme Nabi ﷺ ki Rehbari ki Zarurat na ho, Namaze Ba Jama'at se le kar Biviyo'n ki Talimaat, Aal v Aulaad ki Parwarish aur Pakhana Peshab aur Taharat tak ke bare me Aap ﷺ ki Qauli aur Amali Hidayaat se Kutub Hadees bharpoor hai'n,*

*★_ Androon E Khana ( Ghar me) kya kya kaam kiya, Biviyo'n se kaise Mel jol rakha, aur Ghar me aa kar Masa'il poochhne Wali Khawateen ko kya kya jawab diya, is Tarah ke Se'nkdo'n Masa'il hai'n Jinse Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma ke Zariye Ummat ko Rehnumayi mili hai,*

*★_ Taleem v Tableeg ki Deeni Zarurat ke peshe Nazar Huzoor Aqdas ﷺ ke liye kasrat E Azwaaj Ek Zaroori Amr tha, Sirf Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Ahkaam v Masa'il, Akhlaaq v Adaab aur Seerat E Nabvi ﷺ se Mutalliq Do Hazaar Do So Das (2210) Rivayaat marvi hai'n, Jo Kutub Hadees me payi jati hai'n, Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ki Rivayaat ki Tadaad Teen so Unhattar (369) Tak pahunchi hui hai,*

*★_ Digar Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma ki Rivayaat bhi Majmu'i Haisiyat se kaafi Tadaad me Mojood hai'n, Zaahir hai k is Taleem v Tableeg ka Nafa Sirf Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma se Pahu'ncha,*

*★_ Ambiya Alaihissalam ke Buland Maqsad aur poore Aalam ki infiradi v ijtimayi, Khangi aur Mulki islahaat ki fikro ko Duniya ke Shehwat Parast insaan Kya jane, Wo to Sabko Apne ouper qayaas kar Sakte hai'n aur isi ke Natije me Ka'i Sadi se Europe ke Mulhadeen aur Mustashriqeen ne Apni Hath Dharmi se Fakhre Aalam ﷺ ke Tadaad E Azwaaj ko ( Naujubillah) Ek Khaalis Jinsi aur Nafsani Khwahish ki paidawar qaraar diya hai, Agar Huzoor Aqdas ﷺ ki Seerat par Ek Sarsari Nazar daali jaye to Ek Hoshmand Munsif Mizaaj kabhi bhi Aap ﷺ ki Kasrat E Azwaaj ko is par Mahmool nahi kar sakta,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Ek Umr Rashida Khatoon Se Nikaah*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*⚄_ Aap ﷺ ki Masoom Zindgi Qureshe Makka ke Saamne is Tarah Guzri k 25 Saal ki Umr me Ek Umr Rashida Sahibe Aulaad Beva ( Jinke Do Shohar Faut ho chuke they ) se Aqd kar ke 50 Saal ki Umr Tak unhi ke Saath guzara kiya, Wo bhi is Tarah k Mahina Mahina Ghar Chhod kar Gaare Hira me ibadat me mashgool rehte they, Doosre Nikaah Jitne hue 50 Saala Umr Shareef ke baad hue, Ye 50 Saala Zindgi aur Shabaab Ka Saara Waqt Ahle Makka ki Nazro ke Saamne tha,*

*⚄_ Kabhi kisi Dushman Ko bhi Aap ﷺ ki Taraf koi Esi Cheez Mansoob karne ka moqa nahi mila Jo Taqwa v Taharat ko Mashkook kar sake, Aap ﷺ ke Dushmano ne Aap ﷺ par ilzamaat me koi kasar utha nahi rakhi lekin Aapki Masoom Zindgi par koi Esa Harf kehne ki jurrat nahi hui Jiska Talluq Jinsi aur Nafsani jazbaat ki Be-Raah Ravi se ho,*

*⚄_ in Halaat me kya ye baat Gor Talab nahi hai k Jawani ke 50 Saal is Zuhad v Taqwa aur Duniya ki Lazzato se Doori me guzaane ke baad wo Kya baat thi jisne Aakhir Umr me Aap ﷺ ko Muta'ddid Nikaho par Majboor Kiya, Agar Dil me Zara sa bhi insaaf ho to in Muta'ddid Nikaho ki Vajah iske Siva nahi batlayi ja Sakti jiska ouper ( pichhle part me) zikr kiya gaya hai aur is Kasrate Azwaaj ki haisiyat ko bhi Sun Lijiye kis Tarah vajood me aayi,*

*⚄_ 25 Saal ki Umr se le kar 50 Saal ki Umr Shareef hone tak Tanha Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aap ﷺ ki Zoja rahi'n, Unki Wafaat ke baad Hazrat Sauda Raziyallahu Anha aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Nikaah hua, Hazrat Sauda Raziyallahu Anha to Aap ﷺ ke ghar Tashreef le aayi'n aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Kam Umri ki vajah se Apne Waalid ke ghar hi me rahi'n,*

*⚄_ Aur Chand Saal ke baad me Madina Munawwara me Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Rukhsati Amal me aayi, Us Waqt Aap ﷺ ki Umr 54 Saal ho chuki hai aur Do Biviya'n is Umr me aa kar jama hui hai'n, Yaha'n se Tadaade Azwaaj ka maamla shuru hua,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Rehmatul Aalameen ﷺ ki Tadaad E Azwaaj Ki Hikmat :-2*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*★_Iske Ek Saal baad Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha se Nikaah hua, Fir kuchh maah baad Hazrat Zenab bint Khuzema Raziyallahu Anha se Nikaah hua aur Sirf 18 Maah Aap ﷺ ke Nikaah me reh kar Wafaat payi, Fir 4 Hijri me Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se Nikaah hua, Fir 5 Hijri me Hazrat Zenab bint Jahash Raziyallahu Anha se Nikaah hua, Us Waqt Aap ﷺ ki Umr Shareef 58 Saal ho chuki thi, aur itni badi Umr me aa kar Chaar Biviya'n jama hui,*

*★_ Halanki Ummat ko jis Waqt Chaar Biviyo'n ki ijazat mili thi Us Waqt hi Aap ﷺ Kam az Kam Chaar Nikaah kar Sakte they Lekin Aap ﷺ ne Esa nahi kiya, Unke baad 6 Hijri me Hazrat Juweriya Raziyallahu Anha se aur 7 Hijri me Hazrat Umme Habiba Raziyallahu Anha se aur fir Hazrat Safiya Raziyallahu Anha se, Fir isi Saal Hazrat Memuna Raziyallahu Anha se Nikaah hua,*

*★_ Khulasa ye k 54 Saal ki Umr Tak Aap ﷺ ne Sirf Ek Bivi guzara kiya, Yani 25 Saal Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke Saath aur 4 Saal Hazrat Sauda Raziyallahu Anha ke Saath guzare, Fir 58 Saal ki Umr me 4 Biviya'n jama hui aur Baqi Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma 2-3 Saal ke Andar Harame Nabuwat me aayi'n,*

*★_ Aur Ye Baat khaas Tor se Qabile Zikr hai k Sab Biviyo'n me Sirf Ek hi Aurat Esi thi'n Jinse Ku'nware pan me Nikaah hua, Yani Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha, Unke Alawa Baqi Sab Azwaaj Mutaharaat Beva thi'n, Jinme Baaz ke Do Do Shohar Pehle guzar chuke they aur ye Tadaad bhi Aakhir Umr me aa kar jama hoti hai,*

*★_ Aur Ye Amr bhi Qabile Zikr hai k Sarkare Do Aalam ﷺ Allah Ta'ala ke Nabi Bar Haq hai'n, Nabi Jo Kuchh Karta hai Hukme ilaahi se karta hai, Aap ﷺ ne Jo kuchh Kiya Apne Rab ke Hukm se kiya, Tadaad E Azwaaj ki Vajah se Taleemi aur Tabligi Fayde jo Ummat ko Haasil hue aur Jo Ahkaam Ummat tak Pahu'nche Uski Juzviyaat is qadar Kaseer Tadaad me hai'n k Unko Shumar karna Dushwar hai, Kutub Ahaadees is par Shahid hai'n,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Bivio’n me Musawat na karna Bada Gunaah he,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Agar ek se zyada Bivio’n me Musawat ( Barabari ) aur Adal ( insaaf ) per Qudrat na ho to ek hi Bivi per iktfa kiya jaye, Ek se zyada Nikaah karna usi soorat me jaa’iz aur munasib he jabki Shari’at ke mutabik sab Bivio’n me barabari kar sake aur sabke huqooq ka lihaaz rakh sake, agar is per Qudrat na ho to ek hi Bivi rakhi jaye,*

*✪_ Agarche Qurane kareem ne 4 Aurto’n tak Nikaah me rakhne ki ijazat di he aur is had ke andar Jo Nikaah kiye jaenge wo sahi aur jaa’iz ho'nge, Lekin muta’addid Biviya’n hone ki soorat me unme Adal aur Musawat qaa’im rakhna wajib he aur iske khilaf karna gunaahe azeem he,*

*✪_ Rasoole Kareem ﷺ ne sab Bivio’n ke darmiyan poori Musawat v Adal ki sakht takeed farmayi he, aur iske khilaaf karne per sakht wa’iede sunayi he’n aur khud apne Amal ke zariye bhi isko wazeh farmaya he, Balki Rasoole Kareem ﷺ to un maamlaat me bhi musawat farmate the jinme musawat laazim nahi,*

*✪_ Ek Hadees me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya k Jis shakhs ke Nikaah me do Aurte’n ho'n aur unke huqooq me barabari aur insaaf na kar sake to wo qayamat me is tarah uthaya jaega k uska ek pehlu gira hua hoga,*
*®_ Mishkaat, 278*

*✪⇛Albatta ye musawat un umooro me zaruri he jo insaan ke akhtyar me he, maslan nafaqa me barabari, Shab- bashi me barabari, Raha wo Amr Jo insaan ke akhtyar me nahi, maslan -qalb ( heart ) ka milaan kisi ki taraf zyada ho jaye, to is gair akhtyari maamle me us per koi muwakhza nahi, basharte k iska asar akhtyari maamlaat per na pade,*

*✪⇛ Rasoole Kareem ﷺ ne khud bhi akhtyari maamlaat me poori Musawat qaa’im farmane ke saath haq ta’ala ki baargah me arz kiya- Ya Allah! Ye meri barabari wali taqseem he un cheezo me Jo mere akhtyar me he, Ab wo cheez Jo aapke qabze me he mere akhtyar me nahi he, us per mujhse muwakhza na karna,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Hurmate Muta’a aur Nikaah Mo’aqat:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪⇛ Hurmate Muta’a:- Muta’a makhsoos waqt ke liye kiya Jane wala Aqd he, isme na husoole Aulaad maqsood hota he na Ghar basaana, na iffat na asmat aur isliye jis Aurat se muta’a kiya jata he usko fareeqe mukhalif Zoja e Vaarisha bhi qaraar nahi deta aur usko azwaaje maroofa ki ginti me bhi shumar nahi karta aur chuki maqsad mahaz shehwat poori Karna he isliye Mard Aurat aarzi tor per naye naye jode talash karte rehte he’n, Jab ye soorat he to Muta’a iffat v asmat ka zaamin nahi balki dushman he,*

*✪_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasoole Kareem ﷺ ne Gazwa e Khaybar ke moqe per Aurto’n se Muta’a karne aur paaltu gadhe ka gosht khane se mana farmaya he_,*
*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ki Ye Hadees Bukhari v Muslim me bhi hai_,,*

*✪_ Doosri Hadees Jo imaam Tirmizi ne Naqal ki hai Wo Ye hai :- Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Muta’a avval zamane me mashru tha, Yaha'n tak k Aayate kareema ( ila ala azwajahum av malakat Aymanahum ) nazil hui to wo ( Muta’a ) mansookh ho gaya, Iske baad Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu ne farmaya k Zoja e Shari’a aur Mamlook e Shari’a ke alawa har tarah ki sharmgah se istmuta’a haraam he,*

*✪⇛ Nikaah Mo’aqat ka Haraam hona:- Nikaah Muta’a ki tarah Nikaah Mo’aqat bhi Haraam aur Batil he, Nikaah Mo’aqat ye he k ek muqarrar muddat ke liye Nikaah kiya jaye, aur in dono me farq ye he k Muta’a me lafze muta’a bola jata he aur Nikaah Mo’aqat lafze Nikaah se hota he,*
*®_ Aalamgeer, 1/282,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Bivi Ka Doodh pina Haraam He,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Bivi ka Doodh pina Shohar ke liye Haraam he Lekin Agar kisi ne pi liya he (Jaan bujhkar ya bila jaan bujhkar) to us per Laazim he k isse tauba kare, Halanki isse Nikaah par Asar nahi padega, Nikaah ba– dastoor qaa’im rahega,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/211,*

*✪_ Agar Bivi ke Pistaan me Doodh na ho to Pistaan moo'nh me Lena jaa’iz he, isme koi Gunaah nahi, Halanki Doodh moo'nh me aane ka andesha bhi ho to isse bachna chahiye,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/325,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Mazina Se Nikaah Ka Hukm,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Zinakari Shar’an v Aqlan bada kabih fayl ( kaam ) he, isliye shari’ate mutahara ne isko sakht haraam qaraar diya he, Balki Boso kinaar, Bad Nazri, Bepardgi vagera Jo zina ke asbaab he’n unko bhi haraam qaraar diya he,*

*✪_ وَلَا تَقْرَبُوا الزِّنَا إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَاءَ سَبِيلًا_,*
*"_ Tarjuma :- Zinakari ke qareeb bhi mat fatko bila Shubha wo badi behayai ( ki baat) he aur buri raah he,*
*®_Surah Bani israiyl, 32,*

*✪_ Agar Kisi Ladka Ya Ladki se Ye Haraam Kaam Sarzad ho jaye to Shari'at ka Hukm ye hai k Unko Haakim E Waqt Kode ki Saza de aur Wo Dono Tauba bhi kare'n, Agar islami Hukumat na hone ki Vajah se ya Mulk me ye Qanoon Naafiz na ho Ya Qanoon Naafiz hai aur Kode ki Saza de di baad me Dono Aapas me Shaadi karna chahe'n to Shar'an iski ijazat hai,*

*✪_ Balki Agar Zina ki vajah se Hamal bhi thehar gaya ho tab bhi Zaani ke Liye Haalate Hamal me bhi Apni Mazina se Nikaah karna Jaa'iz hai,*
*®_ (Raddul Muhtaar-3/48)*

*✪_ Doosre Ki Mazina se bhi Haalate Hamal me Nikaah jaa'iz hai Lekin Waza Hamal Tak Humbistari Jaa'iz nahi, Jabki Apni Mazina se Nikaah ki Soorat me Waza Hamal se pehle bhi Humbistari Jaa'iz hai _,"*
*®_ (Raddul Muhtaar- 3/48)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Sali Se Zina Karne se Bivi Haraam Nahi Hoti,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Sali ( yani Bivi ki Behan ) se zina karna bhi bada sakht gunaah he, Agar kisi se ye gunaah sarzad ho gaya to tauba isatagfar karna laazim he aur aainda us sali se Parda ka ahatmam karna chahiye,*

*⇛ Lekin is Amal se uski Bivi ke saath Nikaah per koi asar nahi pada, Wo ba-dastoor uski mankuha he, Taham sali ke saath istabra’a yani uske ek haiz guzarne tak ya uske haamla hone ki soorat me uske vaza’a hamal tak apni Bivi se Jima’a karna jaa’iz nahi, balki alayhda rehna wajib he,*

*✪ _Hazrat Mufti Shafi Sahab Rh. ne tehreer farmaya he k,” Kam se kam ek haiz guzarne tak Bivi se alayhda rehne ko wajib qaraar diya jaye,*
*®_ Shaami -3/283, imdadul Mufteen-553,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mazina ki Beti se Nikaah jaa’iz nahi,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Jis Aurat se zina kiya ho ya na-jaa’iz tor per Boso kinaar kiya ho , Uski ladki se Nikaah Haraam aur Baatil he, Chahe ladki zani ke nutfe se ho ya na ho, Ab agar zani shakhs mazina ki ladki Bivi ke tor per rakhta he to zani hi kehlaega, Aulad agar payda ho to wo bhi haraami nasal hogi, Aziz o aqarib aur digar ba-asar logo per laazim hoga k ese badkaar shakhs se maashrati boycott kare,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/32,*

*⇛ Mazina ki Maa se Nikaah Haraam he,*
*✪_ Jis Aurat se zina kiya ho ya na-jaa’iz Boso kinaar hua ho, uski Maa se Nikaah karna haraam he, Kyuki zina ki Vajah se Hurmate Musahrat saabit hoti he Yani zani ke liye Mazina ki Beti, Nawasi vagera aur Mazina ki Maa, Nani vagera aur Mazina ke liye zani ka Baap ya Beta sabse Nikaah Haraam ho jata he,*
*®_ Hindiya, 1/275,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Ahle kitaab se Nikaah Ka Hukm :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ Jo Eysai ya Yahoodi Allah Ta'ala ke Vajood ke qaa’il ho aur Asmaani kitaabo me kisi ek Kitaab Toraat, Inzeel, Zaboor vagera ko maanta ho, Kisi Pegambar per Eimaan ka Daavedar ho, Esi Aurat se fi nafsa Nikaah jaa’iz he, Ba-sharte k Nikaah Shara’i tareeqe per do gawaho ke saamne ho aur wo Aurat Paak Daaman ho,*

*✪_ Yani tumhare liye Musalman paak daaman Aurat se Nikaah halaal he isi tarah Ahle kitaab ki Afeef aur Paak daaman Aurato’n se bhi Nikaah halaal he,*
*®_ Tarjuma-Ahkamul Quran, Surah Ma’eda, 5,*

*✪_ Hazrat Mufti Shafi Sahab Rh. Tehreer farmate he’n k,” Jamhoor Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum v Taba’yn Rh. Ke nazdeek agarche Qur'an kareem ke mutabiq Ahle kitaab ki Aurto’n se Nikaah fi nafsa Halaal he Lekin unse Nikaah karne per Jo doosre mufasid aur kharabiya’n apne liye aur apni Aulad ke liye balki poori Ummat e Muslima ke liye Tajurbe ke mutabiq laazmi tor per paida hongi, Unki bina per Ahle kitaab ki Aurto’n se Nikaah ko wo bhi Makrooh samajhte the,”*
*®_ Maarful Quran,*

*✪_ Hazrat Huzefa bin Yamaan Jab Mada'in Pahu'nche to Waha'n Ek Yahoodi Aurat se Nikaah Kar Liya, Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ko iski ittela mili to unko khat likha k usko Talaaq de do, Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu ne Jawab me likha k” Kya wo mere liye haraam he?” To Fir Hazrat Farooqe Aazam RaZ. ne Tehreer farmaya k,” Mene Haraam nahi kaha, Lekin in Logo'n ki Aurto’n me aam tor per iffat v Paak Daamani nahi he, Isliye mujhe khatra he k Aap Logo'n ke Gharane me is raaste se Fahash v Badkaari Dakhil na ho jaye,”*
*®_ Ahkamul Quran,*

*✪_ Hazrat Imaam Muhammad bin Hasan Rh. ne Kitabul Asaar me is waqiye ko ba-rivayat Imaame Aazam Hazrat Abu Hanifa Rh. is tarah naqal kiya he k, Doosri martaba jab Hazrat Farooqe Aazam Raz. ne Hazrat Huzefa Raz. ko khat likha to uske alfaz ye the,:-” Yani Aapko qasam deta hu’n k mera ye khat apne haath me rakhne se pehle hi usko Talaaq dekar azaad kar do, Kyuki mujhe ye khatra he k doosre musalman bhi Aapki iqtida karenge aur Ahle kitaab ki Aurto’n ko unke Husno Jamaal ki Vajah se musalman Aurto’n per Tarjeeh denge, To Musalman Aurto’n ke liye isse badi musibat aur kya hogi,? ”*
*®_ Kitabul Asaar, 56,*

*✪_ Is Waqi'e Ko Naqal Kar ke Hazrat Muhammad bin Hasan Reh. ne farmaya k Fuqha E Hanafiya isko Akhtyar karte hai'n k is Nikaah Ko Haraam To Nahi kehte Lekin Doosre Mufasid aur Kharabiyo'n ki Vajah se Makrooh Samajhte hai'n _,"*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Gair Muslim se Nikaah Haraam he,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Koi bhi Mushrik But Parast ( Hindu, Sikh ya Bodh math ke maanne Wali Vagera) se Musalman Mard Ka Nikaah Haraam hai, Jab Tak Wo Ba Qayda Tor par Deen E islam Ko Qubool kar ke Musalman na ho jaye, Ek Musalman Ke liye unse Nikaah Hargiz Jaa'iz Nahi _,"*
*®_ (Raddul Muhtaar- 3/46)*

*✪_ Kitaabiya Aurat se Nikaah ka jawaz to baaz shara’it se saabit he Jiski Tafseel pehle guzar chuki he, Lekin kisi Musalman Khatoon ka Nikaah Gair Muslim Mard se chahe wo Kitaabi ho ya Gair Kitaabi, Kisi haal me halaal nahi, isliye iska khoob khayal rakhna Laazim he,*
*®_ Hindiya, Bidaya,*

*✪⇛ Aur mushrik Aurat se Nikaah mat Karo jab tak Eymaan Na Le Aaye, ”*
*®_ Surah Al-Baqrah, 221,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Qaadyani se Nikaah ka Hukm,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihivasallam Allah ta’ala ke Aakhri paygambar he’n, Aapke baad koi naya Nabi nahi aaega, Aap Sallallahu Alaihivasallam ke baad Jo bhi Nabuwat ka daava karega wo jhoota hoga, Ye Aqeeda rakhna tamaam musalmano per Farz he,*

*✪_Mirza Gulaam Ahmad Qaadyani ka daava e nabuwat jhoota he, Is daave me usne Quran v hadees ke un tamaam saryh nusoos ka inkaar kiya jinse khatme nabuwat ke Aqeedae saabit he’n,*

*✪_ Lihaza Mirza Gulaam Ahmad Qaadyani Murtad, Daayra e islam se khaarij he, Ab Jo sakhsh bhi Mirza Gulaam ko Nabi tasleem karta he wo bhi Daayra e islam se khaarij he,*

*⇛ isliye usse Nikaah ka Rishta qaa’im karna jaa’iz nahi, Usko ladki dena ya ese ki ladki ko apne Nikaah me laana dono haraam he,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Shiyaa se Nikaah,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Jo sakhsh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khudayi ka qaa’il ho ya Qurane kareem ko Tehreef shuda maanta ho, Ya Ummul momineen Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha per zina ki tohmat rakhta ho Ya Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Sahabiyat ka munkir ho, Ya Hazrat Jibra’iyl Alaihissalam ki wahi laane me galti ka aqeeda rakhta ho, Ya koi aur Kufriyaa aqeeda rakhta ho, Daayra e islam se khaarij he, Lihaza agar koi Shiya Ladki in Aqaa’id ki haamil ho to usse Sunni Musalman Ka Nikaah Halaal nahi,*

*✪⇛Agar kufriya Aqaa’id na rakhti ho to fi nafsa Nikaah mun’aqd ho ja’ega fir bhi usse Nikaah se Mard ka Aqeeda kharaab ho Jane ka zyada Andesha he, isliye isse bachna Laazim he,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/46,*

*✪ _Agar koi Shiya kufriya Aqaa’id rakhta he to uske saath Sunni Ladki ka Nikaah mun’aqd nahi hoga,*
*→ Aur agar Kufriya Aqaa’id na rakhta ho tab bhi wo mubtda’a aur Faasiq he, Usse Sunni Ladki ka Nikaah nahi ho sakta kyunki wo Faasiq hone ki Vajah se Sunni Ladki ka Kafu nahi,*
*®_ Aalamgiri, 1/Kitabun Nikaah,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Gair Muqallid se Nikaah,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Jo Ladki Aqidah e Ahle Sunnat Val Jama’at ki haamil aur Fiqah ko maanne wali khususan Imaam Abu Hanifa Rh ke maanne wali ho uska Nikaah Gair Muqallid ( Ba qoal khud Ahle hadees) ladke se fi nafsa mun’aqd ho jata he, Kyuki wo bhi Muslim he,*

*✪_fir bhi Esi Jagah Rishta karne me amuman khandano ke aapas me ikhtilaf paida ho jata he, Kyunki Ahadees ki Roshni me Mard v Aurat ki Namaz me 13 maqamaat me farq he, aur bhi Ka'i Buniyadi Masa'il he’n Jinme Ahle sunnat aur Gair Muqallideen ka ikhtilaf he,*

*✪_ To Unke Yaha’n Shadi ki Soorat me Mard aur Uske khandan wale Ladki ko Unke Masa'il me Gair Muqallideen ki Pervi karne per majboor karte he’n, Jisse Aapas me Nachaqi paida hoti he, isi tarah baaz digar masail me bhi tashaddud karte he’n, isliye unko Ladki dene se hattal imkaan Ahatraaz kiya jaye,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Teliphone per Nikaah ka Hukm,,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Nikaah me Chu'nki ye zaruri hota he k 2 gawaah majlise Nikaah me haazir ho aur iyjaab v qubool dono sune, isliye Teliphone per Nikaah durust nahi hota,*

*✪_ Agar doosre Shahar Ya Mulk me Nikaah karna ho to iska sahi tareeqa ye he k us Shahar me ( Yani jisme Ladki he ) kisi shakhs ko apne Nikaah ka Vakeel muqarrar kare, Vakeel uski taraf se doosre fareeq ke saath gawaho ki mojoodgi me iyjaab v qubool Kare, is tarah Nikaah sahi ho jayega,*
*®_Fatawa Usmani, 2/304,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Tehreeri Nikaah ka Hukm,,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Tehreer ke zariye bhi Nikaah ho sakta he, magar ye zaruri he k tarfeen me se ek ki jaanib se Nikaah ke qubooliyat ka zabani izhaar ho aur sirf ek hi tarah se Tehreer ho, Qubuliyat ka izhaar 2 gawaaho ke saamne kiya jaye, aur wo Tehreer bhi un gawaho ke saamne padhkar suna di jaye,*

*⇛ Maslan Zaid Hindah ko likhe k mene tumse ek Tola Sona Mahar per Nikaah kiya, Hindah ke paas jab ye Tehreer pahunche to wo avval 2 gawaaho ko talab kare, Unko ye Tehreer suna de aur fir unke saamne kahe k me ise qubool karti hu’n, Ab Nikaah mun’aqd ho jayega,*

*⇛ Agar Hindah Tehreer padh kar gawaho ko na sunaye balki sirf apni qubooliyat ka izhaar unke saamne kare ya zabani izhaar ki bajaye sirf Tehreer likh de, aur usi per gawaho ke dastkhat karaye, ya gawaho ke dastkhat bhi na karaye, in tamaam soorato me Nikaah na ho sakega,*
*®_ Khulasa Fatawa Ashrafi,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Nikaah ke Waqt Waldiyat galat batana,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baaz log doosre ki Aulaad ladka ya ladki lekar parvarish karte he’n, Ab kisi jagah unki waldiyat batani pade to apni taraf mansoob kar dete he’n, ( Yani apna naam bata ya likha dete he’n) Nikaah ke waqt bhi ye maamla pesh aata he,*

*⇛ To Hukm ye he k apni waldiyat hamesha apne asal waalden ki batani chahiye, Sotele baap ki taraf nisbat karna jaa’iz nahi, Hadees me is per sakht wa’ied aayi he,*

*⇛ Lekin agar Nikaah ke waqt galat waldiyat bata di gayi magar Aurat ya uska Vakeel Jaanta tha, k isse muraad konsa Mard he ya konsi Aurat he to Nikaah durust ho jayega,*

*✪_ Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya k,” Jisne apne Baap ke alawa kisi gair ki taraf nisbat ki halanki wo jaanta he k uska Baap koi aur he, Us per jannat Haraam he,”*
*®_ Ravaah Bukhari v Muslim v Abu Daoud v ibne maaja, Targeeb v Tarheeb, 3/75,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇛ Galti se Ladki ka Naam Badal gaya,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Agar galti se Nikaah ke waqt naam badal gaya maslan Zenab bint Bakar ka naam Khalida bint Bakar keh diya ya Zenab bint Umar keh diya vagera, ab Agar shadi ke gawaah ladki ko pehchante ho k fala’n Zenab bint Bakar ka hi nikaah ho raha he, Ya wo ladki majlise Nikaah me khud mojood he aur uski taraf ishara karke Nikaah padhaya aur gawaah bhi pehchan rahe he’n k isi ladki ka Nikaah ho raha he, To naam galat batane ke bavjood ye Nikaah mun’aqd ho jayega,*

*⇛ Aur agar ladki majlise Nikaah me mojood na ho aur na hi uski taraf ishara hua aur gawaaho ko mutaiyan tor per maloom nahi k fala’n Zenab bint Bakar hi ka Nikaah ho raha he, in sab soorto me Nikaah mun’aqd na hoga, dobara shara’it ke saath Nikaah padhana zaruri he,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/26,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Goonge Ke Nikaah ka Tareeqa,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Goonge ka Nikaah is tarah padhaya jayega k do gawaho ki mojoodgi me Goonge se Nikaah qubool karne ka ishara kara diya jayega, Jisse iyjaab qubool mafhoom ho,*

*⇛ Aur sunne walo ko iski muraad maloom ho jaye, Yani usse talaffuz bhi karwaya jaye,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/21,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇛Tajdeed Nikaah kab Laazim he?*
            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
*✪_ Baaz alfaz kufriya hote he’n, Kabhi qasdan aur kabhi la ilmi me ya kabhi gusse me ese alfaz moo'nh se nikal Jaye'n, maa’ani v matlab ke lihaaz se Ulma ke nazdeek kufr thehre, isi tarah Rasulullah ﷺ ki kisi Sunnat ki qasdan toheen ki jisse us Shakhs ka Amal tehqeeq haal ke baad kufr thehra, Ya koi aur esa masla pesh ho jiski vajah se Ulema muhaqqeen ne us shakhs ke kufr ka fatwa saadir farmaya,*

*⇛ Esa shakhs agar apni na-zeba harkat aur fayl se tauba kare to us per Laazim hoga k tajdeed imaan ke saath Saath tajdeed Nikaah bhi kare, Aur jis masle me ikhtilaf ho k isse kufr saadir hua ya nahi hua, Waha'n ahatyatan tajdeed imaan v tajdeed Nikaah ka hukm kiya jata he,*
*®_ Fatawa Alamgeer, 2/283,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Tajdeed e Nikaah ka Tareeqa,,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Chu'nki shar’an har Nikaah me Gawaho ka mojood hona zaruri he, aur Mahar bhi Laazim hota he, isliye Tajdeed e Nikaah ke waqt ye Tareeqa akhtyar kiya ja sakta he k Agar Shohar ke paas gunja'ish he to naye Mahar ke tor per kuchh muqarrar kare ya gunja'ish nahi to Bivi Shohar ko Mahar ka kuchh hissa Hadiya kar de aur Shohar ko is naye Nikaah ka Vakeel bhi bana de,*

*✪_ Fir Shohar Do gawaho ki mojoodgi me Ba-qa’ada qubool kare, Alfaz is tarah istemal kare k ”Fala’n bint Fala’n ko itne Mahar ke Evaz me Apne Nikaah me laya ” Aur dono gawaah is majlis ko majlise Nikaah samjhe aur Nikaah ko haqeeqat per hi mamool kare,*

*⇛ Yani wo dono gawaah ye samjhe k in dono Miya Bivi ke darmiyan naya Nikaah ho raha he, Sirf mazaaq ya dillagi na samjhe varna Nikaah mun’aqd na hoga, Wallahu Ta’ala Aalam-*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Khutba e Nikaah Sunna Waajib he,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Nikaah se pehle Jo Khutba padha jata he, isi tarah jab taqreer se pehle jab Khutba Masnoona padha ja raha ho, is dauran Haazreen ka aapas me baat cheet karna jaa’iz nahi, balki Khutba sunna Waajib he, is dauran baat cheet karne wale gunahgaar honge, Tauba laazim he,*

*✪ _Is Zamane me log isme bahut gaflat karte he’n, Koi dulha ko dekh raha hota he aur koi to sheerni ki fikr me he, koi Milne julne walo ke Khush gappiyo me mashgool he,*

*⇛ isliye is Masle ki isha’at karni chahiye k Nikaah ka Khutba bhi gor se sune, is dauran khamoshi akhtyar kare'n,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Do Eido’n ke darmiyan Nikaah bila Shubha Jaa’iz he,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baaz logo me ye galat baat chal padi he k Dono Eido’n ke darmiyan Nikaah jaa’iz nahi, Ye bilkul be-asal baat he, Jamhoor Ummat ke nazdeek dono Eido’n ke darmiyan Nikaah jaa’iz he,*

*✪_ Khud Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka Nikaah Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Shawwal ke mahine me hua,,*
*®_Ba- Hawala Mishkaat, 2/271,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Shadi ke Moqa per Chhuwhara Fainkna Sunnat he,,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Nikaah ke Moqe per amuman chhunwhare taqseem karte he’n aur Fard Afraad haatho me dete he’n,*

*⇛ is bare me asal Sunnat tareeqa ye he k Majlise Nikaah me Shirkat karne walo me chhunwhare taqseem karne ki bajaye fainkkar diya jaye, Chhidka jaye,*
*®_ Khairul Fatawa, 4/585,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mangni ki Rasm aur Dawat :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shar’an Mangni ki haisiyat ek Vaade ki he, Yani agar Mangni ki majlis me baqaada iyjaabo qubool na ho balki sirf Rishta tai hone ke baad aainda Nikaah ka Vaada ho to iski haisiyat vaade ki hui,*

*✪_ Ab iska hukm ye he k jab tak koi maqool uzr pesh na aaye us vaade ko poora karna zaruri he, Albatta agar koi maqool uzr pesh aaye to Mangni todi bhi ja sakti he,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/11,,*

*✪_ Baaz ilaaqo me Mangni ne ek mustqil Rasm ki haisiyat akhtyar kar li, isme do taraf ke azeezo aqarib ke alawa milne julne walo aur mohalle walo ki ek badi tadaad ko bulayi jati he, is moqe per Dawat bhi hone lagi he, balki Waleema ki tarah Dawat hoti he,*

*✪_ Khoob samajh Lena chahiye k Mangni ki haqeeqat sirf itni he k Dono taraf ke chand zimmedar hazraat Jama hokar Rishta tai kar le, Mahar, Shadi aur Rukhsati ki tareekh tai kar le,, is moqe ki munasbat se halki si ziyafat ho jaye to bhi koi harj nahi, iske liye baqaada Dawat ka ahatmam karna, isko sunnat qaraar dena bilkul galat he, Balki sunnat samajhkar esa karna Bid’at aur waajibul tark he,*

*✪ _is baat ko malhooz rakha jaye k Shariyat ka mizaaj ye he k ese moqe per saadgi se kaam liya jaye, Takalluf se ijtnaab kiya jaye, to duniya aakhirat dono lihaaz se khushi naseeb hogi,*
*®_ Fatawa Usmani, 2/232,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Ek Jagah Mangni ke Baad Doosri Jagah Nikaah,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _ Baaz jagah dastoor he k Mangni ke moqe per baqayda iyjaab v qubool ho jata he, ladka aur ladki nabalig ho to walid ya Dada, Chacha vagera se gawaho ke rubaru iyjaab v qubool karwa liya jata he,*

*✪_ Esi soorat me is Majlis ka naam agarche Mangni ki hoti he, lekin jab Nikaah ke qasd se iyjaab v qubool ho gaya to Nikaah mun’aqd ho gaya, ab is Rishte ko toda nahi ja sakta, Jab tak ye Nikaah barqarar he doosri jagah Nikaah nahi ho sakta, Agar doosri jagah Nikaah kar diya to wo Nikaah baatil he, mu’aqd nahi hoga,*

*⇛ Agar Mangni ki Majlis me gawaho ke rubaru iyjaab v qubool nahi ho to ye Vaada Nikaah he, agar koi maqool uzr pesh aaye to Mangni tod kar doosri jagah Nikaah karna durust he,*
*®_ Raddul Muhtaar- 2/287,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mangni ke Moqe per di hui Cheezo ki waapsi,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Mangni ke moqe per Ladke walo ki taraf se Ladki ko kuchh samaan diya gaya, maslan Ghari, Anguthi aur digar saaz o samaan vagera, kuchh khane peene ka samaan, Baad me Ladki walo ne Rishte se inkaar kar diya, To Esi soorat me Jo samaan mojood ho unko waapas liya ja sakta he aur Jo halaak ho chuke ho yo kha pi liya unki waapsi nahi ho sakti,*

*✪_ Haa agar Ladki walo ne inkaar nahi kiya balki khud Ladke walo ne inkaar kar diya to kuchh bhi waapas nahi liya ja sakta,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/153,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Shadi ke Moqe par (Ladke Ya Ladki Walo se ) Raqam Vasool karna,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baaz ilaaqo me Ye Rivaaj he k Ladki wale Dulha se Raqam ka mutalba karte he’n, ( Aur Aaj aksar dekha jata he k Ladke wale Ladki walo se Raqam ka mutalba karte he’n,) aur fir Rishta karte he’n,*

*✪_ Hazrat Mufti Mehmood Hasan Sahab Rh farmate he’n k Agar ye Raqam bator qarz liya jata he to hasbe zarurat tarfayn ki razamazndi se qarz ka Len den durust he, Magar isme bhi ye lihaaz rahe k Shadi ka dabaav aur Asar na ho,*

*⇛ Agar ye Qarz nahi balki Shadi hi ki Vajah se liya jata he to ye Rishwat he aur Haraam he, iski waapsi zaruri he,*
*®_ Farawa Mehmudiya, Raddul Muhtaar- 3/152,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰_Shadi Ke Moqe Par Gunaaho'n se Bache'n,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*"✪_ Duniya me Ek Galat Dastoor chal pada hai k Log Aam moqo ki nisbat Teen Moqo par Zyada Galtiya'n karte hai'n, Ek Shaadi ke Moqe par, Doosre Wiladat ke Moqe par aur Teesre Kisi ke marne par, Halaa'nki Ye Teen Moqe Ese hai'n k inme insaan ko Zyada se Zyada Allah Ta'ala ke muqarrar karda Qawaneen ki zyada se zyada Ri'ayat karna chahiye, isliye k Pehli Do Cheeze Yani Shaadi aur Wiladat to Bahut badi Ni'amate hai'n aur ye Ek Fitri Usool hai k Ni'amat milne par insaan ka Dil Apne munazam aur Husn ki Taraf Khud Ba khud khichta hai,*

*"✪_ in Teen Moqo me Musalman ko Gunaah Chhod dena chahiye magar wo in Teen Moqo me khul kar Allah Ta'ala ki Nafarmaani karta hai, Shaadi aur Wiladat ke Moqe par uski Koshish hoti hai k Sabko khush kar de, Kisi se gila Shikwa na rahe, Chuna'che Rishtedaro me, Dosto'n me kisi ko usse Kuchh Shikayat ho Naraazgi ho to uske paas khud chal kar jata hai aur khushamad kar ke unko Raazi karne ki koshish karta hai,*

*"✪_ Shaadi me Khushamad kar ke Sabko jama kar lete hai'n aur Har Qeemat par unhe khush karne ki koshish karte hai'n magar Zulm dekhiye k Sab Logo'n ko Jama karte hai'n Lekin Allah aur Uske Rasool ﷺ ko Waha'n se nikaal dete hai'n k Aap Thodi der ke liye Zara ek Taraf ho Jaye'n, Is Waqt Aapke Bajaye humne Shaitaan ko bula liya hai, Maloom hota hai k Musalman ke Dil me Shaitaan ka Khof Allah Ta'ala ke Khof se badh kar hai, isliye Shaadi me Allah Ta'ala ki Naraazgi mol le kar Shaitaan ko Raazi karta hai,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Khutba Masnoona Ki Aayaat :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*"✪_ Rasulullah ﷺ Nikaah Ke Khutbe me Teen Aayate Padha karte they, Aap ﷺ ne Aayaat ka intekhab farma kar Ummat Ko Allah Ta'ala ki Nafarmaani aur Bagawat se Bachne Ki Hidayaat di hai'n aur Ye Tambeeh farmayi hai k is Moqe par Log Allah Ta'ala ki Bagawate aur Nafarmaniya'n bahut karte hai'n, Pehle se badh kar Nafarmaniya'n karte hai'n,*

*"✪_Allah Ta'ala ne in Aayaat me dhamki di hai k Khabardaar ! Ye Ni'amat maine di hai Khushi me aa ker itrao mat, Mai'n Chahu'n to Apni Ni'amat Chheen bhi Sakta hu'n, Shaadi to Tumne kar di Aage Miya'n Bivi me Tawafiq ( Mel Jol) paida karna mera kaam hai, Meri Qudrat me hai k isko Ni'amat banau'n ya Azaab, Meri Qudrat se koi cheez bahar nahi, Jis Ni'amat par Tum itra rahe ho, itni khushiya'n mana rahe ho, Mai'n Chahu'n to is Ni'amat ko Azaab me Badal daalu, Miya Bivi Ek Doosre ke Haq me Azaab aur musibat ban Jaye'n, Ye Sab meri Qudrat me hai _,"*

*"✪_ in Aayaat ke Zariye Allah Ta'ala Shaadi karne walo ko Tambeeh farma rahe hai'n K Hosh me aa jao Esa na ho k Shamate A'amaal se Ye khushiya'n Tumhare liye Wabaal ban Jaye'n, Ye bhi Allah Ta'ala ki Rehmat hai k Jaha'n Jaha'n insaan ke Bhatakne Ka Ahatmaal hota hai, Andesha hota hai k Kahi'n galat Raaste par na pad jaye, Allah Ta'ala pehle se hi Ese bedaar kar dete hai'n Balki jhanjhodte hai'n k mere Bande bhatak na Jana, Ye imtihaan ka moqa hai, Hoshiyar rehna, Ye Allah Ta'ala ki Rehmat hai varna wo Agar Khabardaar na kare'n aur insaan Bhatak jaye to isme Allah Ta'ala ka kya bigdega? Ye Bando'n par Unki Rehmat aur Mushafqat hai,*

*✪_ Yu'n to insaan ko Qaayal karne aur use Majboor karne ke liye Allah Ta'ala ke Ahsaan bhi kaafi hai'n, Fir Allah Ta'ala ne Aqal bhi di hai, Aqal ke Alawa Shari'at bhi di hai, iske Bavjood Allah Ta'ala moqa ba moqa baar baar Mutavajjah farmate rehte Hai'n k Mutavajjah ho jao, Gaflat se Baaz aa jao, Kitni badi Shaqawat E Qalb hai k in Sab Cheezo ke Bavjood ye Muslaman fir bhi Bagawat se Baaz nahi aata , Fir wohi tedhi chaal Goya k ise marna hi nahi, Allah Ta'ala ke Saamne kabhi Jana hi nahi,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Ek Sangeen Galti,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Ek Galat kaam ye bhi hai k Shari'at Ka Hukm ye hai k Ladki se ijazat lene ke Liye Wali Aqrab jaye Yani Ladki Ke Rishtedaro me Jo Qareeb se Qareeb Tar Rishtedar hai Wohi Ladki se Ja kar puchhe k is Ladke se Tera Nikaah kar rahe hai'n kya Tujhe Qubool hai ? Agar Ladki Ku'nwari ho aur Puchhne wala Qareeb Tar Rishtedar ho to Puchhne par Ladki Ke Khamosh Rehne se Nikaah Ho jata hai, Sarahatan ijazat dena Zaroori nahi, Agar Ladki Ku'nwari na ho, Puchhne Wala Qareeb Tar Rishtedar na ho to Ladki ka Sarahatan ijazat dena Zaroori hai, Khamosh Rehne se Nikaah na hoga,*

*"✪_ Ladki ka Sabse Zyada Qareeb Rishtedar Kon hai ? Waalid Ja Kar puchhe, Kisi ka Waalid nahi hai To Waalid Ke baad Daada ka Number hai, Daada Ja Kar puchhe, Waalid bhi na ho Daada bhi na ho to Bhai Puchhe, Fir Bhai ke baad Bhatije Ka Number hai, Bhai Bhatije aur Bhatijo ki Aulaad me se koi bhi na ho to Fir Chacha Wali hai, Ladki ke Waliyo ki ye Tarteeb hai, iski Ri'ayat Zaroori hai, Agar Waalid Ke Hote hue Bhai ne puchh liya Ya Chacha ne puchh liya aur Ladki Khamosh rahi to uska Puchhna na puchhna barabar hai, Ye to Ese hi hoga k goya Ladki se puchha hi nahi bager puchhe Nikaah kar rahe hai'n, Albatta Nikaah ho jayega,*

*"✪_ Ye masla Sun kar kahi'n is Shubha me na pad Jaye'n k Sire se Nikaah hi nahi hoga, Nikaah ho jayega, Do Vajaho se Ek ye k Jese Dastoor ho gaya, Ladki ko pehle se ye Maloom hota hai k Puchhne Jo bhi aaye aur Jo kuchh puchhe Bahar haal use Abba ( Waalid) ne hi bheja hoga, Jab use Maloom hai k jo mera Asli Wali hai ye uska bheja hua hai, usne puchha hai to Nikaah ho jayega,*

*"✪_ Doosri Vajah ye hai k Agar Usko itna ilm bhi na ho k Waalid ne bheja hai ya Khud aaya hai, To ye Nikaah Ladki ki ijazat par Moqoof rahega, Baad me jab Ladki Rukhsati ke liye Tayyar ho gayi aur Khushi se Shohar ke Ghar Rukhsat ho gayi to goya usne Qubool kar liya, Ab Nikaah Naafiz ho jayega,*

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Behnoyi ko ijazat Ke liye bhejna Gunaah hai :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪"_ Masnoon Tareeqa to ye hai k Puchhne ke liye Wali Aqrab jaye Lekin Logo'n me Dastoor ye hai k Baap Daada Bhai ke bajaye Mamu ko bhej dete hai'n, Ye bhi Ganimat hai k Kisi Gair Mahram ki bajaye Mamu ka hi intekhab kiya, itni Aqal to aa gayi k Ladki ke Paas uske Mamu ko bhej dete hai'n lekin nahi Sochte k Mamu kisi darje me Ladki ka Wali nahi, Uski bajaye Chacha ko bhejte to bhi Theek tha k Wo kisi na kisi darje me to Wali hai k Waalid, Daada aur Bhai Bhatije na ho to in sabke baad Aakhir me Chacha Wali hai aur Wo Puchh Sakta hai, Mamu ka to koi haq hai hi nahi,*

*"✪_ Fir isse badh kar aur Zyada Jahalat, Bedeeni aur Parle Darje ki behayai ki baat ye k Baaz Log Ladki ke Behnoyi ko puchhne ke liye bhejte hai'n, Ye Shari'at ke khilaaf to hai hi Aqal aur Gairat ke bhi Khilaaf hai, intehayi darje ki behayai hai, Behnoyi ko ijazat Ke liye bhejna Gunaah hai,*

*"✪_ Ladki se ijazat ke liye ese Khatarnaak Rishte ka intekhab kitni badi behayai hai aur Ladki ke Walden kis qadar be gairat, behaya hai'n, Zara Sochiye kya Anjaam hoga is qism ki Shadiyo'n ka ? Bedeeni ki Nahusat se Aqal par Parda padh gaya tha, Sharm v Haya bhi Rukhsat ho gayi, Ye Sab Gunaho'n ki Nahusat hai k Allah Ta'ala ki Nafarmaani karte karte Dil se Haya bhi nikal gayi,*

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Khutba Nikaah Ki Hikmat v Ahmiyat:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*"✪_ Khutba me Jo Teen Aayate aur Chaar Hadeese padhi Jati hai'n Unse Mutalliq Kuchh Bayan se pehle ye masla Samajh Liya Jaye k Nikaah Ke liye khutba padhna Koi Shart Laazim nahi, Jese Juma se pehle khutba Shart hai k uske bager Namaz nahi hoti, Ese Nikaah ke liye Khutba Laazim nahi lekin fir bhi kyu padha jata hai? Iski Maslihat Samajh me aa jaye to Musalman ki Duniya v Akhirat dono Sa'nwar Jaye'n, Logo'n ne is Khutbe ko bhi Rasm ki Shakl de di hai, iski Maslihat na koi Sochta hai na Samajhta hai, Nikaah Khwa'n khutba padh kar suna deta hai Sunne Wale Sun kar uth kar jate hai'n, Magar ye koi nahi Sochta k is Khutbe ki Hikmat aur Maslihat kya hai ,*

*"✪_ Agar Koi hai k Haa'n hume maloom hai k Khutba Agarche Zaroori nahi iske bager bhi Nikaah ho jata hai, Magar iske padhne se Barkat hogi, Barkat ke liye padhte hai'n, Lekin Zara Sochiye k Barkat to jab ho k Khutbe me Jo kuchh padha gaya hai uske mutabiq Amal bhi ho, Zara is baat ko sochiye k Majlise Nikaah me bethe Tamaam Shurka aur Khaas Tor se Nikaah Karne Wale Fariqeen ko Qur'an ki Aayaat padh kar sunayi ja rahi hai'n, Ahaadees batayi ja rahi hai'n magar Ye Log Allah Ta'ala ke Ahkaam aur Qawaneen Sunne ke baad Samajhne ke baad Ghar Pahu'nchte hi unhe Todna Shuru kar de'n, Ek Ek Hukm ko Todte chale Jaye'n to Mahaz Sunne se kya Haasil hoga ? Barkat Hogi ya Azaab Naazil hoga ?*

*"✪_ Nikaah se pehle Khutbe ka Maqsad hi Bando'n ko Allah Ta'ala ke Ahkaam se Ba Khabar karna hai,*

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Ni'amat Ke Bajaye Zehmat :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Khutba me Qur'an Majeed Ki Teen Aayaat me Allah Ta'ala ke Ahkaam khol khol kar Sunaye ja rahe hai'n, Unke baad Jo Chaar Hadeese hai'n unme bhi Allah Ta'ala ke Qawaneen hi bataye gaye hai'n, Nikaah ke Khutbe me in Teeno Aayato ka Padhna Rasulullah ﷺ se Saabit hai aur Ye Hadeese Rasulullah ﷺ se khaas Khutba Nikaah me padhna Agarche Saabit nahi lekin Hai'n To Rasulullah ﷺ hi ki Hadeese, inme bhi Nikaah ke bare me Rasulullah ﷺ ki Talimaat hai'n, Agar Ek Ek Aayaat aur Hadees ki Tashreeh ki jaye to Waqt bahut zyada chahiye, isliye Alag Alag Tashreeh ki bajaye Mukhtasar batata hu'n,*

*"✪_ Teeno Aayato Ka Haasil Ek hi hai Wo ye k Har Kaam me Allah Ta'ala se Daro Jahannam ki Aag se Daro aur usse Bachne ki koshish karo, Teeno me yahi Mazmoon hai, Agar Allah Ta'ala ki Nafarmaani chhod doge to Allah Ta'ala Apni Ni'amato ko Ni'amate bana denge aur Allah Ta'ala ki Nafarmaani nahi chhodi, Uski Bagawat se Baaz na aaye to Allah Ta'ala ka Dastoor hai k usne Duniya me Jo Ni'amate de rakhi hai'n Wo Un Ni'amato ko Ni'amate nahi rehne dete Balki unhe Azaab bana dete hai'n, Ni'amate Azaab ki Shakl Akhtyar kar leti hai'n aur Wabaal ban jati hai'n Ye Allah Ta'ala ka Dastoor hai,*

*"✪_ Wo Allah Ta'ala jisne Shaadi ki Ni'amat di wo us Ni'amat ko Zehmat me Badal Sakta hai, Allah Ta'ala ki Nafarmaani chhod kar Sahi Sahi Bande ban Jaye'n aur Allah Ta'ala ki Hidayat ke Mutabiq Zindgi basar kare'n, Allah Ta'ala Sabko iski Tofeeq ata farmaye,*

*"✪_ Khutbe me padhi gayi Teeno Aayato par gor kare'n to unme isi Haqeeqat ki Taraf ishara hai k Nikaah Allah Ta'ala ki Ek Bahut badi Ni'amat hai Miya'n Bivi ke haq me aur Dono Khandano ke Haq me bhi, isse Musalman ki Duniya bhi Sa'nwarti hai aur Aakhirat bhi, isse Dono Khandano me muhabbat badhti hai, Mel Jol paida hota hai aur Ek Doosre se Ta'awun ka Jazba ubharta hai, Lekin kaan khol kar sun le'n k ye Ni'amat jab hi Ni'amat rahegi k Allah Ta'ala ki Nafarmaani chhod de'n, Uski Bagawat se Baaz aa Jaye'n, Ye Baat to Mukhtasar si Teeno Aayaat se Mutalliq bata di,*

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*⇰Ahadees Ki Tashreeh:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪__ Aayato ke Baad Chaar Hadeese bhi padhi gayi'n, Pehli Hadees ke ma'ani ye hai'n k Log Jab Shaadi ka irada karte hai'n to Rishte ka intekhab karte waqt Mukhtalif Cheeze Madde Nazar rakhte hai'n, Baaz maal ko Baaz Hasab v Nasab ko aur Baaz Husn v Jamaal ko dekhte hai'n, Rasulullah ﷺ ne sabse pahle maal ka zikr farmaya k Bahut se log Ladki ke intekhab me maal ko Saamne rakhte hai'n k Ladki ka Khandaan Maaldaar hona chahiye, Unke Paas maal ho chahe aur kuchh bhi na ho, na Soorat na Seerat, Bas maal par mare ja rahe hai'n, Rishta karte Waqt Aksar Log maal ko dekhte hai'n,*

*"✪_ Aur Bahut se Log Hasab v Nasab ko dekhte hai'n k Ou'ncha Khandaan ho, Koi Bada Mansab ho aur Ka'i Log Husn v Jamaal ko dekhte hai'n k Ladki ka Rang Roop aur uski Shakl v Soorat Achchhi ho, Seerat chahe kaisi hi buri ho, Kuchh Log Deen ko dekhte hai'n k Ladki Deendaar honi chahiye chahe maal ya Doosri Cheeze ho ya na ho'n lekin Deen ho,*

*✪"_ Farmaya k Deendaar Rishte ka intekhab karo, Isse Tumhari Shadiyo'n me Barkat hogi aur Duniya v Akhirat me Aman v Sukoon Naseeb hoga, Sukoon Allah Ta'ala ne Sirf Deen me rakha hai, Baqi Cheezo me kuchh nahi, isliye Tum log Jaha'n Kahi'n Rishte karo Deen ki Buniyad par karo, Yahi Ek Cheez kaafi hai, Baqi Teeno cheezo me se koi cheez ho ya na ho ise mat dekho,*

*"✪_ Doosri Hadees me farmaya k Ye poori Duniya Aarzi Samaan hai, guzar gayi guzraan kya Jho'npdi kya maidaan, Ye to guzarne wali cheez hai balki khud guzargaah aur Musafir Khana hai, Ek Aarzi aur Waqti cheez hai, Lekin in Aarzi Ni'amato me bhi Sabse badi Ni'amat Nek Bivi hai, isi par ye bhi Qayaas kar le'n k Bivi ke liye Duniya me Sabse badi Ni'amat Nek Shohar hai,*

*"✪_ Farmaya Duniya saari ki Saari Aarzi hai, iski Ni'amate bhi Sab Aarzi jald fana hone wali hai'n, Lekin in Faani Ni'amato me Sabse badi Ni'amat Nek Bivi ( aur Nek Shohar) hai, Ye ek Ni'amat Duniya ki Sab Ni'amato se badh kar hai, isse Duniya v Akhirat dono ka Sukoon aur chain Haasil hota hai,*

*"✪_ Teesri Hadees ke ma'ani ye hai'n k Duniya me Jitne Nikaah hote hai'n Tamaam Nikaho me Sabse Ba Barkat Nikaah wo hota hai jisme Takalluf Kam se kam ho, Yaha'n Ek Baat Soche'n k kisi kaam se Achchhe Natije paida karna ya Bure Natije paida karna kis ke Qabze me hai? Allah Ta'ala ke Qabze me hai na? To jiske Qabze me Sab Kuchh hai Wo bata raha hai k Ese Ese karoge to Natije Behtar rahe'nge aur Ese Ese karoge to Natije Bad se Badtar aur Kharab se kharab tar ho'nge, Zaahir hai k Faisla To uska Mo'atbar hai Jiske Qabze me Sab Kuchh hai, Rasulullah ﷺ ne farmaya k Sabse badh kar Ba Barkat Nikaah wo hai Jisme Takalluf Kam ho'n,*

*✪"_ Chothi Hadees me farmaya k Aurto'n me Sabse zyada Barkat wali Aurat wo hai Jiska Mahar Kam ho, Jitna Mahar Kam hoga utni hi wo Aurat Barkat Wali hogi,*

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Baraat ka Hukm :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ Baraat ka Maqsad Majlise Aqde Nikaah me Logo'n ki shirkat ki Dawat Dena he, Fi nafsa ye Baat Rasulullah ﷺ ke Amal se saabit he,*

*✪_ isliye Shara’i hudood me rehkar Esa karna Durust he, Albatta iska zyada ahatmam karna, Riya Namood aur Fakhro Guroor me mubtila hona, zarurat se zyada bada Majma bulane ki koshish karna, israaf se kaam Lena, ….ye saare umoor khilafe Shar'a hai'n, inse bachna Laazim he,* 

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Shaadi Mubarak Kehne Ki Rasm :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Galiban Shaadi Ki Taqreeb par bulane ke Liye Jo Card Chhapaye jate hai'n Un Par Shaadi Mubarak Likha hota hai, Fir Nikaah Ke baad usi Majlis me Har Taraf se Shaadi Mubarak Shaadi Mubarak ki bochhaar shuru ho jati hai, Fir Waha'n se uthne ke baad Ka'i dino Ye Silsila jari rehta hai,*

*"✪_Bachche ki Wiladat par bhi Yu'nhi hota hai, Jo bhi Sunta hai Mubarak Baad deta hai, Har Taraf Mubarak Mubarak ki Awaaze goonjne lagti hai'n, Isi Tarah Eid Mubarak, Naya Makan Mubarak, Nayi Dukan Mubarak, Nayi Tijarat Mubarak Vagera Vagera, Garz Har Khushi ke Moqe par Mubarak dene Lene ka Aam Dastoor hai, Magar Ye koi bhi nahi Sochta k iska matlab kya hai ? Ye Jumla Raat Din bola aur Suna Ja raha hai Lekin iska Matlab Samajhne se itni Gaflat k is par Jitna Ta'ajjub kiya jaye kam hai,*

*"✪_ iska Matlab gor se suniye aur iske Mutabiq Amal karne ki koshish kijiye, Mubarak Baad Dua hai Jiska Matlab ye hai k Jis Ni'amat aur Khushi par ye Dua di ja rahi hai us Ni'amat se Jo Maqsad hai Usse fayda naam ho aur usme Dawaam ho Yani Fayda Zyada se Zyada ho aur ye Fayda Hamesha rahe Balki isme Roz Ba Roz Taraqqi hoti rahe,*

*"✪_ Maslan Shaadi Mubarak ka matalab ye hai k Miya'n Bivi dono Ek Doosre ke Liye Duniya v Akhirat me Raahat v Sukoon ka Zariya bane'n aur Saleh Aulaad paida ho Jo Walden Ke Liye Sadqa Jaariya ho,,*

*✪_(Wazahat aur Tashreeh Shekh Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Lushiyanvi Rehmatullah ne 23 Rajjab 1416 Namaz Asr ke baad Apni Poti Ka Nikaah padhaya, Nikaah Ke baad Hazrate Aqdas ne zere Mukhtasar magar Bahut Jaame Waaz farmaya)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mahar Khalis Aurat ka Haq Hai,* 
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_Mahar Shar'an Aurat Ka Haq hai, Agar Nikaah Ke Waqt Mahar Ka Naam na liya jaye Tab bhi Nikaah to Mun'aqd ho jata hai Fir bhi Magar dena Laazim hai, Agar Shaadi ke Moqe par Mahar Ki Koi Miqdaar Mutayyan Ki to Wo Ada Karna Laazmi hai, Agar Nikaah Ke Waqt Ada nahi Kiya to Mahar Shohar Ke Zimme Qarz Ho gaya Jiski Adaaygi Laazim hai,*

*✪_ Aur Agar Nikaah Ke Waqt Mahar muqarrar Nahi hua aur Gawaho'n Ki Mojoodgi me iyjaab v Qubool kar Liya To Mahar Mishl yani Aurat Ke Khandaan Ki Doosri Ladkiyo'n Ke Liye Jo Mahar muqarrar hua Wo Us Ladki ko bhi milega,*

*✪_ Muqarrah Mahar Naqdi ki shakl me ho ya Sona chaa'ndi ya Jaaydad ki shakl me, Chahe Nikaah ke waqt Ada kar diya gaya ho ya Shohar ke zimme baqi ho …….Ye khalis Aurat ka haq hai, Isme Aurat ko har tarah ke tasarruf ka mukammal Akhtyar hai .isme Ladke ke Walden, Azizo aqarib me se kisi ka koi haq nahi, Balki Shohar ko bhi Akhtyar nahi k Aurat ki ijazat ke bager Mahar Farokht kare ya usme kisi tarah ka tasarruf kare,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/105,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mahar Ki Adaygi Kab laazim hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Nikaah ke waqt tay Shuda Mahar ya Mahar E Misl waajib ho jata hai, Jab Rukhsati hokar Miya'n Bivi Tanhayi me ek Doosre se Mulaqaat kar le'n, ya isse pehle hi kisi ek ka inteqal ho jaye, Dono hi Soorto'n me Ye Mahar Ada karna Laazim aur Mo'kada ho jata hai,*

*✪_ Aurat ko mutalba karne ka poora poora haq ho jata hai, Albatta Agar Khilwate Sahiha se pehle Talaaq waq’e ho jaye to mukarrara Mahar ka Aadha hissa saaqit ho jayega aur Esi Soorat me Mahar tay shuda na ho to Ab Mahar Laazim nahi hoga, Albatta darmiyana darje ka ek Joda Laazim hoga,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/102,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Mahar Ki Miqdaar:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Mahar ki Kam se Kam Miqdaar:- Shariyat e Mutahara ne Nikaah ke liye Mahar ko zaruri qaraar diya he, iski kam se kam Miqdaar Fuqha e Ahnaaf ke nazdeek 10 Dirham Chaa'ndi ya iski qeemat he, 10 Dirham Chaandi ka Vazan 34.020 Gram Chaandi, (Taqriban 3 Tola Chaa'ndi)*

*✪_ Mahar ki Zyada Miqdaar Kitni ? Shariyate Mutahara ne Mahar ki miqdaar mutayyan kar ke waajib qaraar nahi diya k har Mard ko Shaadi ke waqt itna Mahar Ada karna har soorat me Laazim he, Aur iski zyada se zyada Miqdaar ki bhi koi had muqarrar nahi ki gayi he, balki ise Shohar ki haisiyat aur iateta’at par moqoof rakha he K Jo Shakhs jis qadar Mahar dene ki isteta’at rakhta ho usi qadar muqarrar kare,*

*✪_ Albatta Mahar ki Kam se Kam had zaroor muqarrar ki gayi he Taaki koi Shakhs isse kam Mahar na baa'ndhe, Chuna'che Hanfiya ke Maslak me kam se kam Miqdaar 10 Dirham he,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Bhaari Mahar ki Muman’at,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Albatta bahut zyada Mahar muqarrar karna Shar’an pasandida baat nahi he, Chuna'che Rasulullah ﷺ ki Azwaaj E Mutaharat aur Banaat E Taiyyabaat ke liye Jo Mahar Muqarrar hua hai wo Nihayat Mo’atdal aur munasib hai, Aam Halaat me isi par Amal kiya jaye to behtar hai,*

*✪_ Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ke bare me mankool hai k Unhone farmaya,” Khabardar Aurto’n ka bhari Mahar na baa'ndho, Agar bhari Mahar baa'ndhna Duniya me BuZurgi aur Azmat ka sabab aur Allah Ta’ala ke Nazdeek Taqwe ka mojib hota to yaqeenan Nabi kareem ﷺ iske Zyada mustahiq they, ( Aap ﷺ Bhaari se Bhaari Mahar baa'ndhte ),*
*"_ Magar Mai'n Nahi jaanta k Rasulullah ﷺ ne 12 auqiya se Zyada Mahar par Apni Azwaaj Mutaharat se Nikaah kiya ho, Ya isse Zyada Mahar par apni Sahabzadiyo'n ka Nikaah karaya ho: ”*
*®_ Ahmad, Tirmizi, Abu Daoud, ibne maaja,,Nasa’i, Mishkaat- 2,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Kam Mahar wali Aurat Ba Barkat hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah ﷺ ne farmaya k, Ba barkat Aurat wo he k Jiska kharcha kam ho,*
*"_ Iski sharah me Mulla Ali Qari Rh ne farmaya,” Us Aurat ka Mahar kam ho aur wo Aurat qana’at pasand ho, Jiski vajah se zyada kamane ke liye shohar ko pareshani na uthana padti ho, Qana’at ek laazim daulat he, ”*
*®_ Mirkaat Sharah Mishkaat, 6/270,*

*✪_ Khulasa Kalaam ye he k is Hadees me Aurat ka Mahar kam hone ko qabile tareef qaraar diya he, isi par Amal hona chahiye,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Mahar E Faatmi ki Tafseel,,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Mahar E Faatmi se murad Mahar ki wo miqdaar he Jo Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke liye Tay Hui thi, isliye isko Mahar E Faatmi kaha jata he,*

*✪_ Nikaah me Mahar E Faatmi muqarrar karna Shar’an zaruri nahi, isse kam ya zyada muqarrar kiya ja sakta he, Kyuki khulfa e Rashedeen aur Sahaba Kiraam se Mahar E Faatmi se zyada muqarrar karna saabit he aur kam muqarrar karna bhi saabit he,*

*✪⇨ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke Mahar ki miqdaar Kya thi, isme Do Rivayaat hai'n, Sahi Rivayat ke mutabik iski miqdaar 480 Dirham ya 1632 Gram bhi keh sakte he’n, Tola Ke lihaaz se 1632 Gram taqriban 140 Tola hua,*
*®_ Ahsanul fatawa, 17/5,*

*✪ _Hazrat Mufti Shafi Sahab Rh. ki Tehqeeq ke mutabik 131 Tola 3 masha Chaa'ndi hai (Hashiya Bahisti zever)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mahar Maaf Karwana :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Ek rivaaj ye chal pada hai k Shuru me badi miqdaar me Mahar Tay kar liya jata hai, Nikaah form me bhi likha jata hai aur Nikaah ke waqt sabke saamne iyjaab v qubool me is bhari Mahar ka zikr kiya jata hai k itne Mahar ki Evaz me Nikaah qubool kiya, Lekin baad me mukhtalif heele bahano ke zariye Mahar Maaf karwane ki koshish ki jati hai,*

*✪_ Pehle guzar chuka hai k Mahar khaalis Aurat ka haq hai, Usko haq mahar me tasarruf ka mukammal akhtyar hai, Shohar ya kisi aur ko Mahar waapas lene ya Aurat ki razamandi ke bager usme tasarruf karne ka bilkul akhtyar nahi, aur zabadasti maaf karwane se maaf bhi nahi hoga, Aur ye bhi yaad rahe k zabardasti maaf karwana ye dar haqeeqat maafi nahi balki ek tarah ka gasab hai k zabardasti Aurat ke haq per qabza kar liya,*

*✪_ Shar’an isko maaf karna bhi nahi kaha ja sakta isse Shohar ka zimma faarig na hoga, Zindgi me Ada karna Laazim rahega, Agar Zindgi me Ada nahi kiya to Marne ke baad unke Tarke se Mahar ka Qarz Vasool karke Bivi ke hawale kiya jayega,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Shohar ko Mahar Hadiya karna,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Aurat Bager kisi Jabro Karah ke apni Raza v Ragbat se Mahar ka kuchh hissa ya Kul Mahar Shohar ko Hadiya kar de, Ye Shohar ke liye halaal he, Chuna'che irshade Baari Ta'ala hai ( Surah An-Nisa, Aayat- 4):-*
*"_وَآتُوا النِّسَاءَ صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً فَإِن طِبْنَ لَكُمْ عَن شَيْءٍ مِّنْهُ _,*

*✪ _Tum log Biviyo'n ko unke Mahar khushdili se de diya Karo, Agar wo Biviya’n khushdili se chhod de Tumko us Mahar me koi hissa ( aur yahi Hukm kul ka bhi hai ) to ( is Haalat me ) tum usko kha'o ( kaam me lo ) mazedar khushgawar samajhkar,*

*✪_ Is Aayat Ki Tafseer karte hue Hazrat Mufti Muhammad Shafi Sahab Reh. Tehreer farmate hai'n:- Mahar Ke Mutalliq Arab me Ka'i Qism ke Zulm hote they, Ek ye k Mahar Jo Ladki ka Haq hai usko na diya jata tha, Balki Ladki ke Wali ( Walden) Shohar se Vasool kar lete they, Jo Sarasar Zulm tha, isko dafa karne ke liye Qur'an E Kareem ne farmaya k Shohar Apni Bivi ka Mahar Khud Bivi ko de'n aur Doosro'n ko na de'n, aur Ladkiyo'n ke Wali (Walden) Agar Ladkiyo'n ke Mahar Unko Vasool ho Jaye'n to ye Ladkiyo'n hi ko de de'n, Unki ijazat ke bager Apne Tasarruf me na laye'n,*

*✪_ Doosra Zulm ye tha k Agar Kabhi kisi ko Mahar dena bhi pad gaya to bahut Talkhi aur Nagawari ke Saath Tawaan samajh kar dete they, is Zulm ka izala Aayate Mazkoora me karte hue farmaya k khush dili ke Saath diya jaye,*

*✪_ Garz is Aayat me ye Taleem farmayi gayi k Aurto'n ka Mahar Ek Haq E Waajib hai, iski Adaygi zaroori hai aur Jis Tarah Tamaam Huqooq E Waajiba ko khush Dili ke Saath Ada karna Zaroori hai usi Tarah Mahar Ko bhi Samajhna chahiye _, ( Ma'arful Qur'an -2/297)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Mahar e Misl:-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Mahar e Misl ka matlab ye he k Aurat ke Baap ke gharane me se Jo Aurat uske misl ( Barabar ki ) ho, Yani agar ye kam umar he to wo bhi Nikaah ke waqt kam umar ho, agar ye khoobsurat he to wo bhi khoobsurat ho, Jis ilaaqe ki ye rehne wali he usi ilaaqe ki wo bhi ho, Agar ye Deendar hoshiyar ya saliqamand, Padhi likhi he to wo bhi esi hi ho,*

*✪_ Garz Walid ke khandan me Jo Aurate’n in baato me uski tarah thi, unka Jo Mahar Tay hua tha wohi uska Mahar e Misl hai,*
*®_ Raddul Muhtaar- 3/137,*

*✪_ Baap ke gharane ki Aurto’n se muraad uski Fufiya'n, Chachazad Behne'n vagera hai'n, Mahar Misl me Maa'n Ka Mahar nahi dekha jata, Agar Maa'n bhi Baap hi ke Gharane se ho, Jese Baap ne Apni Chacha Zaad se Nikaah kar liya tha To unke Mahar ko bhi*Mahar Misl" kaha jayega _,"*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Jahez ki Shara’i Haisiyat,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baap ka apni Beti ko Nikaah ke waqt Jahez Dena Sunnate Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he, Chunache Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni Sahabzadi Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko Shadi ke waqt Jahez diya tha, Albatta isme iska itna ahatmam karna munasib nahi k jisse pareshani ho aur Qarz ka bada bojh ho jaye,*

*✪_ Baqi apni haisiyat ke muwafiq, Riyakaari, Shohrat pasandi se bachte hue kuchh zaruri samaan de diya jaye to isse Sunnat Ada ho jayegi, Lekin Aaj ke daur me Sunnat se nikal kar ye azaab ban gaya he, isme a’atdaal ki raah apnana behat zaruri he,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Samaane Jahez Ladki ki Milk hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Nikaah v Rukhsati ke waqt Jo samaan, Bartan, Furniture, Libaas v digar cheeze Walden ki taraf se Ladki ko diya jata he wo ladki ki milk he, Walden ke liye usko wapas Lena jaa’iz nahi,*

*✪_ Neez Talaaq vagera ke zariye Judai ki soorat me Shohar ya uske ghar walo ka ladki ke maal per qabza kar Lena bhi jaa’iz nahi balki saara samaan wapas karna zaruri he, Albatta khula ki soorat me agar kisi maal ko khula ka avaz thehraya gaya to wo Shohar rakh sakta he,*

*✪_ Iske Alawa Rukhsati Ke Moqe par Ladke Walo ki Taraf se Ladki ko Zevraat Pehnane ka Rivaaj hai, Aam Tor par Ladki ko us Zever ka Maalik nahi banaya jata isliye Ladki Maalik na hogi, Haa'n Sarahat Ke Saath usko Hadiya Tohfa ke Naam par de'n to Wo Ladki ki Milk hai Waapas Lena Jaa'iz na hoga,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Damaad ka Sasural walo se Jahez ka Mutalba Be- gairati he,* 
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baaz log ladki walo se samaane Jahez ka mutalba ( demand) karte he’n, Maslan- Gaadi, ghadi, libaas, poshak vagera Fala'n Fala'n cheeze hone wale Damaad ko dena hoga varna hum Ladki qubool nahi karenge”, is Tarah kisi cheez ka mutalba karna Shar’an jaa’iz nahi, Ye nadaani, Be-gairati, Be-sharmi ki baat he,*

*✪_ Damaad per Sasural walo ka is tarah koi haq nahi k unse makhsoos samaan ka mutalba kare, Isi tarah isko rivaaj qaraar dena k log mutalbe ke bager dene per majboor ho jaye, ye bhi galat he, lihaza isse ijtnaab karna laazim he,Ky'unki Sahaba Kiraam, Taba'een, Aa'imma E Deen Reh. Ke Halaat me Esa koi Waqi'a nahi milta Jisme unhone Ladki Walo se Samaan ka Mutalba kiya ho, isliye Mard Ko Chahiye khuddaar rahe, Lalach aur Hirs se Door rahe_,"*
              
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Jahez ka Shara’i Masla, ( Zaroor Padhiye ),*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Aam tor per Jahez itna Zyada dete he’n k uski Maaliyat se Hajj kiya ja sakta he, isliye Agar Jahez ka poora samaan Ladki ki Milk me de diya jaye aur Hajj ke form bhare Jane ke waqt me bhi Ladki ki milk me ho to foran usi Saal uske liye Hajj per jana Farz ho jayega, Ab ye Walden ki zimmedari he k use Hajj karwaye,*

*✪ _Agar ye khayal kare k doosre saal jayenge ya baad me kabhi chale jayenge to Pehli baat to ye he k Kya maloom doosre saal tak zinda bhi rahe ya nahi, Aur agar doosre saal tak zinda reh gaye aur Hajj bhi kar liya to bhi takheer ( late ) karne ka Gunaah hoga, Hajj ka farz to Ada ho jayega magar Takheer karne ka Gunaah bhi zimme rahega k Kyu der ki ?*

*✪_ Jo Walden Aulad per Hajj Farz kar dete hai’n magar Hajj karwane ka intezam nahi karte wo Mujrim thehrenge,*

*✪_ Agar Ladki ko Maalik.nahi banaya aur bahut bade bade samaan Jahez ke liye Jama kar liye aur esa hoshiyar walid agar mar gaya to Saara Maal Vaariso me taqseem hoga, Ladkiyo’n ko sirf utna hi.milega jitna Shariyat ki taraf se viraasat me uska haq he, Poora maal to hargiz nahi milega chahe unki waalid vasiyat kar jaye k ye Jahez un Ladkiyo’n ka he, Esi Tehreee likhkar registration karwale, hazaaro gawah banale, Kuchh bhi karle baharhal ladkiyo’n ko utna hi hissa milega jitna Shariyat ne muqarrar kiya he,*

*✪_ Vaaris ke haq me Vasiyat motabar nahi, To Zara sochiye k Ladki ke liye itna kuchh jama karne ka kya faayda ? Esi himakat kyu ? Is soorat me Jahez ke liye rakhe Sone Chandi ki zakaat bhi Farz he,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Jahez dene Ki Vajah Muhabbat ya Logo'n ka khof ?*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Walden ye kehte hai'n k Hum to Beti se Muhabbat ki Vajah se dete hai'n isme Harj kya hai ? Is bare me ye Samajh le'n k ghar me beth kar baat bana lena Asaan hai, Kisi Sahibe Nazar ko Nabz dikhaye'n Wo bataye k Tere andar konsi kharabi hai ?*

*✪_ Ye Jo kehte hai'n k Beti se Muhabbat hai, Muhabbat ki bina par Jahez dete hai'n, Zara iska Tajurba suniye, Jab Beti paida hui us Waqt me bhi Muhabbat thi, Paida'ish se le kar Shaadi ke Waqt tak Muhabbat hai, Shaadi ho jane ke baad bhi marte dam Tak Muhabbat rahegi, So Shaadi ke waqt hi Muhabbat ko josh kyu uthta hai ? Iski Vajah ye hai k Agar nahi de'nge to Log Taane de'nge, Naak kat jayegi, Logo'n me izzat Nahi rahegi, Log Taane de'nge k Beti ko ghar se ese Nikaal diya Jese mar gayi ho, Kafan de kar nikaal diya kuchh diya hi nahi_,"*

*✪_ Haal ye hai Logo'n ka k Kehte hai'n k Agar Humne Beti ko Jahez nahi diya to Sasural Wale to use Taane de de kar maar de'nge aur Doosre Log bhi Walden ko Taane de'nge, Aap Saari Duniya ki Daulat bhi Samet kar beti ko de de'n Saas to fir bhi Taane degi, Ye Uzr galat hai k Muhabbat ki Vajah se karte hai'n, Dar Haqeeqat ye Logo'n ke Dar se karte hai'n,*

*✪_ Sochiye Jab Walden Jahez dete hai'n Logo'n ke Dar se, Saas ke dar se to Khushi se Kaha'n dete hai'n ? Qarz le le kar, Bheek maang maang kar Jahez jama karte hai'n, Logo'n ke Darwazo par ja ja kar kehte hai'n k Ladki ka Jahez banana hai Zakaat de de'n aur Begairat Besharam hai Wo Dulha jo Jahez Qubool kar leta hai, Isse Zyada Begairat kon hoga ? Isse Behtar ye nahi tha k Shaadi hi na kare, Bheek me Mila hua Jahez Qubool kar lete hai'n Ese Begairat log hai'n,*

*✪_ Sochiye k Logo'n ke Khof se dete hai'n to Beti aur Damaad ke liye bhi Halaal nahi Haraam hone ka Yaqeen nahi to Kam se kam Mushtaba to ho hi gaya, Jisme Haraam hone ka Shub'ha ho Wo Jahez kyu istemal kiya jaye ?*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Jahez Dene Se Virasat Khatm nahi Hoti :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Agar muhabbat ki vajah se Jahez de rahe he’n to zara gor kare'n bahut Qeemti baat hai, Agar Muhabbat ki Vajah se Beti Ko de rahe hai'n to Betiyo’n ko Jaaydad me kyu shareek nahi karte ? Apni tijarat me, Karkhano me, Makaano me, Zara’i zameen me se kuchh hissa de'n Apne Saath Shareek kar le'n to isme Beti ka Fayda hai Lekin Log Esa nahi karte Balki unki Koshish hoti hai k Beti ko Jaydaad me Shareek na kare'n Jaydaad Sirf Beto'n ki rahe _,"*

*✪__Daave muhabbat ke aur Koshish ye k Jaaydad me se Beti ko kuchh na mile, Bas Kuchh Kapde de diye aur Sofe Kursiya'n de diye aur bas khush kar diya Beti ko, Ari meri Beti ! Tujhse itni Muhabbat hai k Teri muhabbat me to hum mare ja rahe hai'n, Use Thapkiya'n de de kar khush kar rahe hai'n, Sochniye ! Zara gor se k Agar Muhabbat hai to Betiyo'n ko Jaydaad se Mehroom kyu karte hai'n ?*

*✪_ Ek masla Aur Samajh lena chahiye k Bahut se Log ye kehte hai'n k Humne Jo Beti ko Jahez de diya uske baad Virasat me uska Haq nahi raha Kyunki Humne Niyat ki thi k ye Jo kuchh use de rahe hai'n Ye Virasat ka hissa hai,*

*✪_ Ye bhi galat hai Aap use Jahez me Kitna hi de de'n Magar Virasat ka Hissa jo k Shari'at ne muqarrar kar diya wo poore ka poora Mojood hai, Jahez Dene se Beti Mehroom nahi hoti, Log Samajhte hai'n k Apni Zindgi me use itna de diya to Ab Virasat me uska hissa nahi raha, Ye bilkul galat hai, Zindgi me Virasat Jaari nahi hoti Kisi ko kitna hi de de'n Wo uske Liye Hiba hai, Virasat to Jaari hogi Marne ke baad, magar Marne ka khayal to Aaj kal Muslaman ko aata hi nahi, Ye Samajhta hai k marega hi nahi, Allah Ta'ala inhe Aqal ata farmaye,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Jahez ke Bajaye Naqdi de,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Aakhri darje ki ek baat ye hai k Naqdi ki soorat me Jahez de de'n, Jo samaan Truk bharkar Jahez me dete he’n uski bajaye itni Raqam Beti ko de de'n, Balki Jaha'n Ek Laakh ka samaan hai to Ek Laakh ki bajaye Do Laakh de de'n Kisi Ko koi ishkal nahi hoga,*

*✪_ Magar ese Naqdi ki Soorat me koi nahi dega, Ky'unki Agar Naqdi diya to Logo'n ko Pata hi nahi chalega, Logo'n ko to dikhana maqsood hai, Balki Logo'n ko Jama karke pehle dikhate hai’n, Chahe Nalayak ne Qarz le kar Bheek maang kar hi kyu na diya ho,*

*⇛ Naqdi dene ke Faayde,*
*☆_ 1- Naqdi ki soorat me aapne ladki ko hadiya de diya to agar us per Hajj farz ho gaya to wo Hajj kar legi,*

*☆_ 2- Agar Naqad Paisa de diya to fir Allah ke Bando'n aur Bandiyo'n ke halaat mukhtlif hote he’n, baaz Raahe khuda me saara maal bhi laga dete he’n, Ye log to khud per Hajj farz hone hi nahi dete, Agar Beti ko Jahez ki Bajaye Naqdi de di To Wo Beti Agar Allah ki Bandi hai, Uske Dil me Fikre Aakhirat hai, Dil maal ki Muhabbat se Paak hai to wo to Laga degi Saari Raqam Allah ke Raaste me, Hajj Farz hi nahi hone degi,*

*☆_ 3- Naqdi me teesra fayda ye hai k Miya'n Bivi Apni Maslihat ke Mutabik jis cheez ki Zarurat hogi poori kar le'nge, Paisa To Esi Cheez hai k usse Har Zarurat Poori Ho Sakti hai _,*

*☆_4 Agar unhe Koi Fori Zarurat Nahi aur Hajj Ada Karne Ke baad bhi Raqam Bach gayi Lekin Allah ki Raah me Lagane ki Himmat Nahi ho rahi to Us Raqam ko Kisi Tijarat me laga denge, Beti aur Uski Aulaad ke Liye Ek zariya Aamdani ho jayega,*
*(Hazrat Mufti Abdul Rasheed Ahmad Ludhiyanvi Reh. )*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Walima ki Shara’i Haisiyat,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Dawate Walima karna Sunnat he, walima ka masnoon waqt Dulhan ko ghar lane aur Humbistari ke baad ka waqt he, Rasulullah ﷺ ne Shabe Zifaaf Ke baad Walima farmaya, isliye Jamhoor ka Maslak yahi hai, Taaham Baaz Ulma ne isme Wus'at ka Qaul Akhtyar kiya hai k Nikaah ho jane ke baad usi Waqt ya uske baad Ya Rukhsati ke Ya Hambistari ke baad Jis Waqt bhi Walima kiya jaye Walima ki Sunnat Ada ho jayegi,*

*✪_ Aqd E Nikaah se pehle Walima ki koi Asal nahi, Yani Nikaah se Pehle kisi bhi tarah walima ki sunnat Ada nahi ho sakti, agar kisi ne Nikaah se pehle khana khilaya to mubah to hai Walima ka ajro sawab haasil nahi hoga,*
*®_Fatawa Usmani, 3/303,*

*✪ Dawat Walima us Dawat ko kaha jata hai Jo Shaadi ke baad Logo'n ko.khilaya jata hai, iske liye Dino ki khaas tadaad muqarrar nahi, Balki isko Shaadi karne wale ki isteta’at per bhi chhoda gaya hai, Agar wo ek se zyada Dino ki dawat karna chahta hai to isme koi qabahat nahi, Lekin ek se zyada Dino tak karne me fakhro guroor ya riyakaari, Shohrat pasandi jese maqasid shamil ho'n to fir is Niyat se Dawat karna jaa’iz nahi,*

*⇨Hazrat Mufti Mehmood Hasan Rh. farmate he’n k Dawate Walima Shaadi v Rukhsati se 3 Roz tak hoti hai, iske baad nahi,*
*®_Fatawa Mehmoodiya, 4/391,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Walime ki Dawat Qubool karna chahiye,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ BaaZ Ulma ki Raay ye hai k Shaadi Biyaah ki khane ki Dawat Qubool karna waajib hai, Agar bila kisi Shara’i uzr ke Dawat qubool na karega to gunahgaar hoga, Qubool Karne se Muraad Shaadi me Shirkat hai, Ye Baaz Ulma ke Yaha'n Waajib aur Baaz ke Yaha'n Sunnat E Mustahaba hai,*

*✪_ Baqi shareek hone ke baad khana to is bare me mutfiqa masla ye hai k Agar Rozedaar na ho to khane me Shareek hona mustahab hai, Shaadi ke Alawa Doosri Dawato ka qubool karna mustahab hai,*

*✪_ Bin bulaye Dawat mr Shareek karna bada Gunaah hai, Baaz Log bin bulaye kisi Dawat me Shareek ho jate hai'n, Baaz Jaha'n koi Dawat ho rahi ho Ek Shakhs ko us Dawat me bulaya nahi gaya bas mahaz ilm hone par Waha'n Pahu'nch kar Dawat me Shareek ho gaya to ye bada Gunaah hai, Hadees me is par Sakht Wa'eed Waarid hui hai, Ese Shakhs ko Daku qaraar diya hai, isliye ijtinaab karna Laazim hai,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Ladki Walo ki taraf se Dawat masnoon nahi,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Nabi Kareem ﷺ ke Zamane me Rukhsati ka koi khaas tareeqa nahi tha aur na hi Baraat aur Logo'n ke ijtema ka koi ahatmam tha, Jesa k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko unki walida mohatrama ne Rukhsat kiya aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko Rasulullah ﷺ ne Hazrat Umme Aiman Raziyallahu Anha ke saath Hazrat Ali Razitallahu Anhu ke Ghar rawana farmaya,*

*✪_ Albatta agar Parde ka Ahatmam ho, Mardo'n ke saath ikhtilaat vagera mufasid na ho to rukhsati ke waqt qareebi Rishtedar khawateen ke Ghar me jama hone ki gunja'ish hai aur unke liye ba-qadre zarurat khane ka intezam karna bhi durust hai, Lekin khane ko sirf mehman nawazi ki haisiyat di jaye, isko Walime ki tarah Dawat e masnoona na samjha jaye, Kyunki Rukhsati ke waqt Ladki walo ki taraf se khane ka intezam Shariyat me Saabit nahi,*

*✪_ Hazrat Mufti Mehmood Hasan Sahab Rh. farmarte hai'n k,”Sahi ye hai k Walima Ladka aur uske auliya Karenge, Lekin Jo log Ladki walo ke makaan me mehman aate hai’n Unka Maqsad Shaadi me shirkat karna hai aur unko bulaya bhi gaya hai to Aakhir wo khana Kaha'n jaa kar khayenge aur Apne mehmano ko khana khilana Shariyat ka hukm hai, Aur Rasulullah ﷺ ne takeed farmayi, Albatta Ladke walo ki Taraf se Walima ki Dawat hai, Ladki walo ki Taraf se Saabit nahi,*
*®_ Fatawa Mehmudiya, 17/392,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Nikaah Ke Moqe Par Mithayi Vagera Taqseem Karna :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*"❥_ Majilis Nikaah me Khane Pine ki Cheeze Taqseem Karna Khwah Wo Cheez Khajoor ya Mithayi ho Ya Doosri Cheeze, Na farz hai na Waajib aur na Sunnat Mo'kada hai, Kyunki Sahih Rivayaat me Nikaah Ke Waqt in Cheezo ki Taqseem ka Zikr nahi aaya hai, Na Aan Hazrat ﷺ ne iska Hukm farmaya hai, na Aap ﷺ ke Visaal Ke baad Aap ﷺ ke Sahaba Raziyallahu Anhum ne is par Amal farmaya hai,*

*"❥_ Lihaza Agar is Amal Ko Laazim ya Sunnat Samajh Kar kiya jaye to Na-Jaa'iz hua, Lekin Agar Nikaah ke Waqt Khane Pine ki Cheezo ki Taqseem is Garz se ki jaye k Chu'nki ye Ek Mubarak Majlis aur Nek Taqreeb hai jisme Musalman Mard aur Aurat ke Darmiyan Aqde Nikaah kiya gaya hai Jo Ek ibaadat bhi hai aur Khuda ki Taraf se Ek Ni'amat bhi, Lihaza is Moqe par Shukrane ke Tor par Ya Fariqeen me se Fareeq is Niyat se Khana Khilane ka intezam kar de k Aapas me Muhabbat badhe aur Dosti Mazboot ho jaye to Esa karne me Shar'an koi qabahat nahi hai aur Kuchh Ba'eed nahi k Taleefe Quloob ki niyat se kiya gaya ye Amal Ajro Sawab ka Zariya ban jaye,*

*"❥_ Kyunki Shari'at ne Har us Amal ki hume Targeeb di hai Jiski Vajah se Aapas me Bahami Muhabbat badti ho aur Deeni Talluqaat mazboot hote ho'n,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ _Baraat Ko Khana Khilane Ke Liye Ladki Walo Se Mutalba Karna :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪"_ Kuchh ilaaqo me Ladki Wale Baraat walo Ko Khana Khilane ke Liye Raqam ka Matalab (Demand ) karte hai'n, Ladki Walo ka Baratiyo Ki Ziyafat karne ke Liye Ladke Walo Se Raqam ka Mutalba Karna Jaa'iz nahi hai, Khususan Jab Ye Raqam na dene Ki Soorat me Ladki Wale Rukhsati karne Par bhi Amaada na ho'n to Esi Soorat me is Mutalbe ki Qabahat mazeed badh jati hai,*

*✪"_ isliye Jin ilaaqo aur Qaumo me ye Rasm Aam ho chuki hai Un Par Ye Rasm Khatm Karna aur isse ijtinaab karna Waajib hai, Fir bhi Agar Ladke Wale Apni Khushi se Ye Raqam dena Chahe'n to isme Koi Harj bhi Nahi is Shart ke Saath k isko Rasm na banaya jaye _,*

*✪"_ Aur Ye Masla bhi Samajh lena Zaroori hai k Rukhsati ke Moqe Par Baraat me aane Walo ke liye Ladki Walo Ki Taraf se Khane ka Ahatmam karna na to Masnoon hai aur na hi Mustahab, Balki Shara'i Hudood ki Ri'ayat ke Saath ye Sirf Ek mubah aur Jaa'iz Amal hai,*

*✪_ Lekin Agar isko Sunnat ya Laazim Samajha Jaye, isme Riyakari aur Naam v Namood, israaf aur digar gair Shara'i kaamo ka irtikaab kiya jaye, isko Shaadi ka Laazmi hissa Samjha jaye Ya isko Rasm bana liya jaye Jesa k Ka'i jagaho par yahi Soorate Haal dekhne ko milti hai to Esi Soorat me isse Mukammal ijtinaab kiya jaye_,*

*✪"_ Aur Jab Baraat Walo ko khana Khilana Ladki Walo Ki isteta'at me na ho to Esi Soorat me un par ye Laazim bhi nahi k Wo un Mehmaano ko khana khilaye ya uske liye Qarz le'n,*
*®_ Kitabun Nikaah _,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Sunnat se Airaaz aur Nafsani Khwahishat Ki Pervi Gumrahi hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Tamaam Musalmano per Laazim hai k Janabe Rasulullah ﷺ ki kaamil v Mukammal itteba kare, Yahi kaamyabi ka Raaz hai, isise Allah Ta’ala ki Raza v Khushnudi haasil hoti hai aur Momin Jannat ka mustahiq banta hai,*

*✪_ Chuna'che Janab Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya k- Meri Tamaam Ummat Jannat me dakhil hogi magar wo Shakhs Jisne inkaar kiya aur Sarkashi ki ( Jannat me dakhil na hoga) Puchha gaya Wo kon Shakhs hai Jisne inkaar kiya aur Sarkashi ki? Aap ﷺ ne irshad farmaya k Jisne meri ita'at v farmabardari ki, Wo Jannat me dakhil hoga aur Jisne meri Nafarmaani ki, Usne inkaar kiya aur Sarkashi ki _, ( Rawah Bukhari, Mishkaat)*

*✪_ Sunnat Se Airaaz karna bahut bada Gunaah hai, is par Sakht Wa'eede hai'n, Chuna'che Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya,“Jo Shakhs mere Tareeqe se Airaaz karega wo mujhse Nahi (yani meri jama’at se kharij he),” ( Mishkaat)*

*⇨ Yani Jo shakhs meri Sunnat se Airaaz karta hai aur Meri batayi hui hudood se tazavuz karta hai to iska matlab ye hoga k wo meri Sunnat aur mere Tareeqe se bezaari v beragbati kar raha hai, Jiska Natija ye hai k Esa Shakhs Meri jama’at se kharij hai, Use mujhse aur meri Jama’at se koi nisbat nahi,*

*✪ _ Jisne Hamare Deen me koi ESI baat nikaali Jo isme nahi wo mardood hai, ( Bukhari, Muslim)*
*"_ Matlab ye hai k is hadees me un Logo'n ko mardood qaraar diya ja raha hai, Jo mahaz apni nafsani khwahishaat aur zaati agraaz ki bina per Deen v Shari'at me nayi nayi baate’n aur naye naye tareeqe paida karte he’n, Esi galat Baato ka intsaab Shari'at ki taraf karte he’n Jiska Islam me sire se vajood hi nahi, ( Mazahire Haq Jadeed,)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Itteba e Khwahishaat Gumrahi hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪" Khudayi Hidayaat ko chhod kar khwahishaat ki itteba karna, Khilafe shara’a Rasm v Rivaaj ka ijaad karna aur uski pervi karna Bahut khatarnaak kaam hai, isse basa awqaat Aadmi imaan ki daulat se haath dho bethta hai,*

*✪_ Chuna'che irshade Baari Ta'ala hai (Surah Qasas) Yani Agar Ye Log Aapki Daleel aur Baat Qubool na kare'n to Samajh le'n k Wo Log Mahaz Khwahishat Nafsani ke Bande aur Muttaba hai'n ( Jis Cheez ko unka Dil maane Qubool karte hai'n aur Jisko Dil Qubool na kare Chhod dete hai'n) aur jo Shakhs Allah ki Hidayat Tark kar ke Apni Khwahish ki Pervi karne Wala hai usse Zyada Gumrah kon hoga ? Beshak Ese Zaalim aur Be insaaf Logo'n ko Allah Ta'ala Hidayat dene Wale nahi hai'n _, ( Bayanul Qur'an)*

*✪_ Rasulullah ﷺ ne farmaya k Jis Shakhs ne kisi ko Hidayat ki Taraf bulaya usko utna hi Sawab milega Jitna usko Jo uski Pervi kare aur is ( Pervi karne wale ) ke Sawab me kuchh bhi kam na hoga aur Jo kisi ko Gumrahi ki Taraf bulaye usko utna Gunaah hoga jitna usko Jo uski ita'at kare'n aur unke Gunaah me kuchh bhi kam na hoga _, ( Muslim)*

*✪_ Aaj musalmano me aqa’id ki kamzori ke saath Amali kamzori bhi tezi se badti ja rahi hai, Bahut se galat aqa’id aur jahilana Rasmo Rivaaj musalmano ke ma'ashre me dakhil ho gaye he’n, Hattaki hamare shadi byaah aur digar taqribaat, isi tarah khushi, gami ke digar moqe, wiladat, maut vagera me islami talimaat ko chhod kar mahaz gairo ki naqal aur Pervi ki ja rahi hai,*

*⇨ Hattaki is bare me Islam ka hukm kya hai? Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Tareeqa kya hai? Wo bhi Nazro se ojhal hota ja raha hai, Jo bahut afsos ki baat Hai,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Nikaah Se Pehle Mangetar Se Baat aur Mulaqaat Karne Ka Hukm :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Banda Nikaah Se Pehle Apni Mangetar se Baat kar Sakta hai Ya Nahi ? Mil Sakta hai Ya Nahi? Waaze rahe k Mangni Nikaah Nahi Balki Nikaah Ka Vaada hai, isliye Mahaz Mangni ho Jane Ke baad bhi Mangetar Ajnabi hi ke Hukm me hoti hai, Jiska Matlab Yahi hai k Jis Tarah Ajnabi Mard aur Aurat ka Aapas me Gap Shap Lagana aur Mulaqaat Karna Na-Jaa'iz hai, Usi Tarah Apni Mangetar Se Gap Shap Lagana aur Mulaqaat bhi Na-Jaa'iz hai,*

*✪ _ Aur iski Vajah Se bahut Se Nuqsanaat aur Buraiya'n Zaahir Hone Ka bhi Andesha hota hai, isliye isse ijtinaab Karna Zaroori hai _,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mahino ko Manhoos Samajhna,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baaz ilaaqo wale ya biraadri wale baaz mahino ko manhoos samajh kar unme shadi biyaah ki taqreeb mun’aqd nahi karte, Khususan Muharram aur Safar ke mahino ko manhoos samajhte he, isliye in mahino me shadi ki taqribaat se darte he, Jabki ye Logo'n ki banayi hui baate he’n aur sarasar Shari'at ke khilaaf aqeeda he,*

*✪ _Aaj se 14 so saal pehle Janaabe Rasulullah ﷺ is qism ke baatil tohmaat ki nafi farma chuke he’n, Lihaza is Baatil aqeede ki buniyad per Shaadi ke baaz din ya Tareekh ko manhoos samajhna shar’an jaa’iz nahi.*

*✪_ Janabe Rasulullah ﷺ ne Irshad farmaya jiska mafhoom he k marz mut’adi hone KA aqeeda, Badshaguni ( bad faali ) ullu ( bolne se nahusat aane KA aqeeda ) isi tarah maahe safar ke manhoos hone KA aqeeda Shari'at se saabit nahi ,albatta juzami shakhs se is tarah bhago jis tarah sher se baagte ho, ( Bukhari, Mishkaat 2/391)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Mehndi aur Haldi ki Rasm,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shaadi KA moqa ho ya Aam Halaat khawateen ke liye Apne haatho me Mehndi lagana shar’an ek pasandida aur mustahab Amal hai ,Shar’an Aurat ko hukm hai k Mehndi lagaya kare taki unke haath Mardo'n ke mushabe na rahe'n,*

*"✪_Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Ek Aurat ne Diwar ki oat se Aap ﷺ ko Ek Parcha dene ki koshish ki, Aap ﷺ ne wo parcha unke Haath se lene se inkaar farmaya aur irshad farmaya maloom nahi Mard ka Haath hai ya Aurat ka, To Arz kiya k Aurat ka Haath hai, Aapne irshad farmaya k Agar Aurat ka Haath hota hai to Mehndi laga hota hai, Haath v Nakhoon Mardo'n ke Mushaba na hota _," (Abu Dauwd, Mishkaat-2/382)*

*✪ _is zamane me Shaadi se Pehle Rasme Mehndi aur Rasme Haldi ke Naam se Jo Rasm ada ki jati hai'n usme shar’an kai qabahate hai'n, is maqsad ke liye baaz biradriyo me Mustaqil Dawat hoti hai, Mard Aurate’n ikatthe hote hai'n aur isko zaruri samjha jata hai, dawat na karne per laan taan hota hai, Rishtedaro me Jo is Dawat me shirkat na kare use bhi laan taan Ka nishana banaya jata hai, Isliye ye Rasm qabile Tark hai ,isse ijtinaab Laazim hai,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Dulha Ke Liye Mehndi Ki Rasm :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪__ Baaz ilaaqo me Shaadi Se Pehle Dulha Ke Ghar me bhi Ek Mustaqil Rasm Mehndi ke Naam se Dawat Hoti hai, isme bhi Dono Taraf ke Logo'n Ko Dawat di jati hai, Khususan Khawateen isme Shirkat karti hai'n, Dulhan Ki Taraf se aane Wali Khawateen (Dulhan Ki Behne Vagera ) Dulha ko Mehndi lagati hai'n, Jabki Shar'an Mardo'n ke liye Bator Zeenat Haatho me mehndi lagana Jaa'iz nahi _,*

*"✪_ Ek Rivayat me Rasulullah ﷺ ne farmaya k Haatho ka bhi Zina hai k Kisi Ajnabi Aurat Ko Haath lagana, Aur Ajnabi Aurat Ko Haath lagane aur Musafa karne par Ahadees Mubarak me Sakht Wa'eed Waarid hui hai'n, Chuna'che khud Rasulullah ﷺ ne Zindgi bhar kisi Ajnabi Aurat Ko kabhi Haath nahi lagaya, Apne Sar me Soo'i gho'npna Zyada behtar hai isse k Esi Aurat ko Chhooye Jo Uske Liye Halaal na ho _,*

*"✪_ Lihaza Ummat ke liye bhi Yahi Hukm hai k Kisi Ajnabi Aurat se Musafa karna Jaa'iz nahi, Agarche Wo Rishtedar hi kyu'n na ho'n, Maslan Chaachi, Mumani, Chacha Zaad, Mamu Zaad, Khala Zaad, Fufi Zaad, Behnoyi, Devar, Nanad, Jeth, Khalu, Fufa vagera Yani Ese Rishtedar jinse Parda karna farz hai, Unse Musafa karna Jaa'iz nahi,*

*"✪_ Jab Ajnabi Mard v Aurat ka Musafa Jaa'iz nahi to Haath Pakad kar Mehndi lagana kaise Jaa'iz ho sakta hai? Isliye is Qabeeh Rasm se bachna, bachana Musalmano ke Zimme Laazim hai aur isme Shirkat karne wali Khawateen aur Shareek Mard Sab Gunahgaar ho'nge _,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Ubtan Lagana :-*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪__ Shaadi Biyah Ke Moqe par Ubtan lagane Ka Rivaaj hai, Shar'an isme koi muzayqa nahi, Yani Ladki Ko Ubtan Lagana fi Nafsa Jaa'iz hai Lekin is Moqe par Jo Mufasid v Munkiraat hote hai'n, Maslan Photography, Bepardgi, Ajnabi Mardo'n aur Aurto'n ka ikhtilaat v Ha'nsi Mazaaq, Movi banana aur israaf vagera ye Sab Umoor Na-Jaa'iz aur Haraam hai'n _,*

*✪_ isliye in Na-Jaa'iz Umoor se bachna Zaruri hai, Albatta in Mufasid aur Munkiraat se bach kar Ubtan Lagaya jaye to isme koi muzayqa nahi, Khushi ke Ese Moqo par Allah Ta'ala ko Yaad rakhna aur Nafarmani se bachna Nihayat Zaruri hai, Yahi Asal Moqa hota hai Jisme Allah Ta'ala Apne Bando ka imtihaan lete hai'n, Khushi aur Gami ke Moqo me Deen par Saabit Qadam Rehna imaan ki Pukhtgi ki Alamat hai,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰Shadi ke Moqe per Gana Bajana,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shaadi ke moqe par Baaz Log Gaane Bajane Ka bahut zyada Ahatmam karte he’n ,Tap recorder v Aaj Kal DJ Ke Zariye ,bade bade Dek lagakar is qadar shor kiya jata he k ados pados ke Logo'n Ka jeena haraam ho jata he ,Baaz Log is Moqe par Adakaro (Actors) ko bulakar naach gaane ka ahtamam karte he’n, Sharai aitbaar se ye Amal Ka'i qism ke gunaho per mushtamil he,*

*✪ _(1) Padosiyo ko Takleef pahunchana Shar'an Haram hai, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne Teen martaba qasam kha kar farmaya k Wo Shakhs Musalman nahi, Sahaba Kiraam ne arz kiya Ya Rasulallah ﷺ Wo Konsa Shakhs hai ? To irshad farmaya Jiske Shar se uska Padosi mehfooz na ho _, (Bukhari v Muslim)*

*✪ _(2) Naach Gaana bizzaate khud bahut bada Gunaah Ka kaam hai, Janabe Rasulullah ﷺ ne farmaya k do Awaaze Duniya v Akhirat me mal'oon hai'n, Ek Gaane ke Saath Raag Baajo Ki Awaaz Doosri Musibat ke Waqt Cheekhne ki Awaaz _, (Bahyqi)*
*"_ Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya k Jo Shakhs Gaane Wali Aurat ke Paas Gaana Sunne ke liye bethta hai To Allah Ta'ala Qayamat ke Roz uske Kaano me Seesa pighla kar dalega _,"*

*✪_ Mosiqi ke bare me Baaz Logo'n KA ishkaal he k Baaz Ahadees se iska jaa’iz hona maloom hota he kyunki Shaadi ke moqe per Daff bajana Hadees se saabit he aur mosiqi bhi Daff hi he Lihaza ye bhi hona jaa’iz hona chahiye,*

*⇰Is ishqaal KA jawab ye he k Ahadees me jis Daff KA zikr he wo sirf Nikaah ke moqe per kuchh der ke liye bajaya jata tha, Nikaah ke alawa bila zarurat Daff bajane walo ko Sayyadna Umar Farooq Raz. durro se saza dete they, Fir Daff peetne wali bhi Chhoti bachchiya'n hoti thi'n , Mardo'n KA Daff bajana Kahi'n Saabit nahi, fir ye Daff bhi Ahle Arab ki Aadat ke mutabiq bilkul Saadgi se peeta jata tha, na isme jhaa'njh hoti thi ,na raqs v sur v riya turb v masti KA Koi aur Nishaan, Aaj ESE Daff KA Kahi'n koi Vajood Nazar nahi aata,*

*⇨Ahnaaf me aksar fuqha isko bhi Na-Jaa’iz qaraar dete he’n ,aur aqsar masa'ikh ke qaul ke mutabiq Haraam he, Nikaah ke moqe per Daff se Muraad Nikaah KA Elaan he,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Niyota ki Rasm ( Nazrana ),*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shaadi ke moqe per Jitni bhi Buri Rame hai'n Unme se Ek Rasm Niyota bhi he, Haqeeqat Masla Ye hai k Hamari Shadiyo'n me Ye Rasm Jo Dawate Walima ke baad hoti he k jisme Ahle Shaadi khana ko Shareek hone Wale Log Raqam dete he’n ,Jo k Register me Yaddasht ke tor par Darj ki jati he aur fir Jab WO ahle khana unme se kisi ki Shaadi me shirkat karte he’n to jin shurka ne unko Raqam di thi ye usse bada kar Waapas ada karte he’n. Aur ese moqe per Raqam waapas na kare to Aapas me Naraazgi ho jati he aur iske baad ek doosre ke walima aur Shaadi ki Dawat me shareek nahi hote,*

*✪_ Shadi ke moqe per Rasme Niyota ke naam se jo Raqam vasool ki jati he isme Shar’an Ka'i qabahate he’n:-*
*"_ (1)- Qarz KA Len den he, jabki bila zarurat qarz KA Len den Shar’an ek Na-Pasandida Amal he, Qarz ko Qarz isliye kaha jata he k ye Muhabbat kaatne wali cheez he,*
*"_ (2)- Agar di hui Raqam se bada kar lotayi jaye aur ESA karna bhi is Rasm KA hissa ho to ye zyada Raqam sood ke hukm me he,*

*✪(3)- Basa Awqaat ESA bhi hota he k ye Qarz ada karne KA moqa hi nahi mil pata, Maslan dono me se ek ilaaqa chhod kar door Kahi'n chala jaye Ya Ek ka inteqal ho jaye ,is soorat me Doosre ki Haq talfi aur Na-jaa’iz tor per Maal istemal karne Ka Gunaah hua,*
*"_(4)- Kisi ki Dawat karke usse paise vasool karna Gairat ke khilaf he aur ahmakana harkat he, agar kisi ki Dawat karne ki isteta’at nahi to WO Dawat karta hi kyu he ? Bilkul na kare ya jitne Logo'n ko khilane ki isteta’at he utne Logo'n ko Dawat de,*
*⇨In qabahato ki bina per ye Rasm waajibul tark he ,*
*®_( Raddul Muhtaar)*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇰ Shadi aur Fizool kharchi,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shadi ke moqe per ek Gunaah ka Kaam ye bhi Anjaam diya jata hai k Fizool kharchi aur israaf bahut hota hai, Maslan bila zarurat bahut zyada Roshni (Decoration) ka Ahatmam karna, Fir iske liye Bijli chori ki jati hai isse Qabahat aur badh jati hai, isi tarah zarurat se zyada khana pakana fir usko Zaaya karna, Qarz lekar apni isteta’at se badhkar kharch karna, Dawat karna aur iske zariye shohrat Haasil karne ki koshish karna vagera, Jabki fizool kharchi Karne se Qur'an Kareem ne Sakhti se mana farmaya hai isko shaitan ki tabedari qaraar diya hai,*
*"_ Aur ( Maal ko ) be moqa mat udana, Beshak be moqa maal udane wale Shaitan ke Bhai Band hai'n ( Yani uske Mushaba hote hai'n) aur Shaitan Apne Parwardigar ka bada Na Shukra hai,*

*✪_ insaan Maal To Haq Ke Mutabiq Haasil kare, Magar Khilafe Shari'at kharch kar dale aur iska naam israaf bhi hai aur ye Haraam hai, irshad E Baari Ta'ala hai k Khao aur piyo aur beja kharch mat karo, Beshak Allah Ta'ala beja Kharch karne Walo Ko Pasand nahi farmate,*

*✪_ Allah Ta'ala ko ye matloob hai k Banda Shara'i Hudood ke andar reh kar Zindgi guzare, Shara'i Hudood se Aage na bade aur Khane Pine me na Bukhl se kaam le na hi israaf aur Fizool kharchi me mubtila ho, Yani Allah Ta'ala ko Wo Log Pasand hai'n Khud Kharch karne me miyana Ravi rakhte hai'n, na Zarurat se Zyada kharch kare'n aur na usse Kam kharch kare'n,*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*⇛ Dulhan ki Moo'nh Dikhai ki Rasm,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Baaz ilaaqo me Rivaaj hai k Rukhsati ke baad Dulhan ko Ghar laya jata hai to Moo'nh Dikhayi ki Rasm Ada ki jati hai, Yani Dulhan ko masahri per bitha diya jata hai, fir Dulha ke Rishtedar Dulhan ka chehra dekh kar kuchh Hadiya ( Yani naqdi ya koi Cheez, zever vagera ) pesh karte hai’n, Didaar karne wale Mardo'n me zyadatar gair Mehram hote hai’n, Dulha ke Behnoi, Mamu zaad, Chacha zaad, khala zaad vagera,*

*✪_ Ye bhi Ek Qabeeh Rasm hai, khususan Gair Mehram Aurat ko Jaan bujhkar dekhna aur dikhana, aur ye Quran v hadees ki ru se Haraam hai aur is per laanat waarid Hui, irshad E Nabvi ﷺ hai k Gair Mahram Ki Taraf dekhne Wala aur Jiski Taraf dekha ja raha hai, Dono Mal'oon hai'n _,(Mishkaat)*
*"_ isliye ye Rasm Qabile Tark hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*⇛ Shadi ke Moqe per Be pardgi ,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪ _Shadi ke moqe par ek Gunaah Jo Bahut Aam ho gaya hai WO Be pardgi ka Gunaah hai, Aaam Bedeen tabqe ki to baat hi Alag hai unka to poora program hi Gunaah Ke Kaamo par mushtamil hota hai, Khilafe Shari'at Rasmo Rivaaj Shaadi Ki Mehfil me Mardo'n Aurto'n ka ikhtilaat, Khada Ho Kar khana Pina Vagera,*

*✪_ Lekin Baat Deendaar tabqe ki hai, jinhe Apni Deendari par Naaz hai, Aam Halaat me Ba Zahir Gharo me Shara'i parde ka khayal bhi rakha jata hai, Lekin Shaadi ke moqe par Wo is Hukm E Shara'i se gaflat baratte hai'n, Jabki Shara'i parde ka ESA takeedi hukm diya gaya hai jis Tarah Namaz Roze ka, Ab na maloom kya vajah hai k musalman khawateen Parde ka Ahatmam nahi karti aur Mard Hazraat bhi Parde ka mahol faraham nahi karte,*

*✪_ Khususan Shaadi ke moqe par is Gunaah se bachne ka zyada Ahatmam hona chahiye, Kyunki ye Allah ta’ala ki taraf se azma'ish ka waqt hota hai k mere Bande ko itni Badi khushi Naseeb ho rahi hai ,Kya is moqe par ye mujhe yaad rakhta hai ya Mere Ahkamaat ko pashe pusht daal deta hai,*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
, ⇛Noto Ka Haar Pehanna, Firing karna*
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
*✪_ Shaadi ke moqe par Baaz ilaaqo me Dastoor hai k Dulha ke maathe par Sehra baa'ndhte he’n,Ye Ek khaalis Gair Muslimo'n Ki Rasm hai, unhi se li gayi hai, Musalmano par Laazim hai k is Rasm v Rivaaj se ijtnaab kare isliye K Ye Rasm Qabile Tark hai,*

*✪_ Shadi ke moqe par Foolo ka Ek Aadh haar pehnne ki to gunja'ish hai, Khushi ka moqa hai, Baqi isko Ba-Qayda Rasm bana Lena durust nahi aur Jaha'n Noto ka haar ka Talluq hai usme ka'i kharabiya’n Hai'n, Maslan Bila vajah Maal ka Zaya karna aur israaf aur Haar Ke lene dene me ek doosre par fakhr, Balki Baaz ilaaqo me Rasme niyota me dakhil hai,*
*✪ _Agar Hadiya bhi dena Maqsood ho to iske liye koi saada Tareeqa Akhtyar kiya jaye Jo Naam v Namood aur digar kharabiyo'n se khaali ho,*

*✪_ isi tarah Aaj kal Bahut se Log Shaadi ke moqe per firing (Aatishbazi) karte he’n, isko izhare khushi ka zariya samjha liya gaya hai, isko bhi Logo'n ne Ek Rasm bana li, Khud Ko Napasand ho jab bhi Azeezo Aqarib Jo Shaadi Ke Moqe par jama Hote Hai'n wo Firing karte hai'n, iske Duniyavu nuqsaan bhi Sabke Saamne hi hai'n, Baarha esa bhi Hota hai k Dulhan hi ko goli lag gayi, Dulha ya uske Saathiyo ko goli lag gayi ya Zakhmi ho gaye, is Tarah ye Khushi ka moqa ek Gamkada ban jata hai, Jo Log Khushi manane aaye they wo Janaza utha kar le ja rahe, fir basa Awqaat isse dono Khandano me Taveel Dushmani ladayi jhagde shuru hote hai'n, Arse tak pareshani ka ye Silsila jaari rehta hai,*

*"✪__ Janabe Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya k koi Shakhs Apne Kisi ( Dini) Bhai ki Taraf Aslaha se ishara na kare kyunki ho sakta hai k Shaitaan Anjani me uske haath se chhudwa de ( aur uske haath se Nahaq qatl ho jaye) aur fir iski Vajah se Jahannam ke ghade me gir pade _," ( Bukhari Shareef)*
*"✪__ khulasa ye hai k Ek Buri Rasm hai isko Tark karna Laazim hai,*

*⇲ Allan ta’ala Hume sunnat aur Shariyat ki hudood me rehkar Nikaah ko anjaam dene ki Tofeeq de, Aameen Ya Rabbal Aalameen, Alhamdulillah Post Mukammal hui,*
*↳® Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, /1*

*▍✿ ✒ TALIBE DUA✧*
*▍✧Haqq Ka Daayi ✧*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments