Guldasta E Magfirat-101 se Akhtaam

┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -101 ☆★
101- Musalmano ki Teen Safo ne Jiski Namaz Janaza Padhi, Uske Gunaah Maaf


         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Maalik bin  Hubayra Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo musalman inteqal kar jaye aur uski Namaz janaza me musalmano ki 3 safe ho to magfirat ya jannat wajib ho jati he,”
Aur Harat Maalik Raziyallahu anhu jab kisi Janaza me shareek hote to 3 safe banate, is Hadees per amal karne ki vajah se,
Abu Dauwd 2/451
Next -102, in sha Allah Ta’aala,
     ┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -102☆★
102- Marhoom ke liye Magfirat ki Dua kijiye, Marhoom ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah ta’aala ki taraf se Jannat me kisi Marde Saaleh ka darja ek dam buland kar diya jata he to wo Jannati Banda puchhta he k
Ey parvardigar! Mere darja aur martaba me taraqqi kis vajah se kaha se hui?
Jawab milta he, Tere vaaste teri falaa aulaad ki Duae magfirat karne ki vajah se,”
Imaam Bayhqi ne alfaze hadees yu’n naqal kiye he’n k,
“Tere Bete ki Dua ki vajah se,”
Ibne maaja, kitabul adab, 260
Next -103, in sha Allah Ta’aala,

┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 103☆★
103- Tamaam Momineen ke liye Duae magfirat kijiye, Har Momin ke avaz ek Neki likhi Ja’egi
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo koi shakhs momin Mardo aur momin Aurto’n ke liye magfirat talab karta he,
Allah ta’aala uske liye har  momin Mard aur momin Aurat ke avaz ek neki likh dete he’n,”
Kanzul Ummaal, 1/375
Next -104, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -104 ☆★
104- Tamaam Momineen ke liye Har roz 27 martaba Magfirat ki Dua kijiye, Aap mustjabud d’avaat ban Ja’enge
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jo shakhs har roz momin mardo aur momin Aurto’n ke liye 27 baar magfirat talab karega to uska shumaar un logo me hoga Jinki Dua qubool hoti he aur jinki vajah se ahle zameen ko rizq milta he,”
Kanzul Ummaal, 1/486
Next -105 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 105☆★
105- Jo Janaze ke Pichhe Chala uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
“Banda e momin ko uski maut ke baad sabse pehli Jo jaza di jati he wo ye he k uske janaze ke pichhe chalne wale tamaam afraad ki magfirat kar di jati he,”
Kanzul Ummaal, 15/588
Next -106 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -106 ☆★
106- Jo vasiyat karke Faut hua Uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne vasiyat ki haalat me inteqal kiya ( yani is Haalat me jiska inteqal hua k apni maalyat aur ma’amlaat vagera ke bare me Jo vasiyat usko karni chahiye thi wo usne ki aur sahi ki )
To Allah uska inteqal theek raaste per aur shari’at per chalte hue huva aur uski maut Taqwa aur Shahadat wali maut hui aur uski magfirat ho gayi,”
Ravaah ibne maaja, 4/426
Next -107 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -107 ☆★
107- Jo Allah ke Raaste me nikla aur Shaheed huva, Uske saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Allah Jal Jalaalu ne irshad farmaya,
” Mera Jo bhi Banda meri Raah me Jihaad karne ke liye nikalta he, mahaz meri khushnudi ke liye
To me zamanat deta hu’n is baat ki k ajr v ganimat ke saath usko wapas lota’u, aur agar uski Rooh ko qabz kar lu to uski magfirat karu, us per raham karu aur usko jannat me dakhil karu, ”
TABRANI,
Next -108 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -108 ☆★
108- Allah ke Raaste me Agar Maut aa gayi to Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Mas’ud  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah ki raah me qatl ho Jana tamaam gunaho ka kaffara ban ja’ega sivae amanat ke
aur amanat Namaz me he
aur Amanat Roza me he
aur Amanat baat me he aur sabse zyada tere liye laa’iq ahatmam bator amanat rakhi hui ashya’a he’n, ”
Tabrani,
Next -109 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 109☆★
109-Aapas me Muhabbat rakhne wale Bande Jab mile, Darood Sharif Padhiye Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Nahi he’n do bande Jo aapas me muhabbat rakhte ho unme koi ek jab apne saathi ke saamne aaye aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam per Dono Darood bheje
To juda hone se pehle un dono ke aainda aur guzishta gunaho ki magfirat kar di ja’egi,”
Kanzul Ummaal, 9/135
Next -110 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -110 ☆★
110- Jo Allah ke Raaste me nikla aur Shaheed huva, Uske saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Allah Jal Jalaalu ne irshad farmaya,
” Mera Jo bhi Banda meri Raah me Jihaad karne ke liye nikalta he, mahaz meri khushnudi ke liye
To me zamanat deta hu’n is baat ki k ajr v ganimat ke saath usko wapas lota’u, aur agar uski Rooh ko qabz kar lu to uski magfirat karu, us per raham karu aur usko jannat me dakhil karu, ”
TABRANI,
Next -111 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -111☆★
111- Huzur Sallallahu Alaihivasallam per Ek martaba Darood bhejiye, 10 Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs mujh per ek martaba darood sharif bhejta he,
Allah ta’aala us per 10 rehmate najil farmate he’n,
10 gunaaho ko maaf farmate he’n,
aur iski vajah se uske 10 darjaat buland farmate he’n,”
kazafil targeeb, 2/494
Next -112 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 112☆★
112- Likha hua Darood sharif jab tak Baqi rehta he, Farishte Duae Magfirat karte rehte he’n
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne kisi kitaab me mujh per Darood sharif likha to jab tak mera naam us kitaab me baqi rahega Farishte uske liye musalsal Dua’e magfirat karte rahenge,”
Kanzul Ummaal, 1/507
Next -113 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -113 ☆★
113- Apne maal ki Zakaat nikaliye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik  Raziyallahu Anhu se rivayat he k qabila banu tameem ka ek Aadmi Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me hazir hua aur arz kiya,
” Ya Rasulullah! Me bahut maaldar Aadmi hu’n aur ayaaldar bhi hu’n ( Khoob vusat rakhta hu’n ji kholkar kharch kar sakta hu’n) to aap mujhe bataiye k kese karu? Aur kis tarah kharch karu?
To Aap  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Apne maal ki zakaat esi paaki he k tujhko ma’asi aur gunaaho se paak kar degi, khulysh v aqarib se silah rehmi kar, miskeen aur padosi aur saa’il ka haq pehchan, ”
Musnad Ahmad, 3/136
Next -114 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 114☆★
114- Sadqa Khairat kiya kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah  Raziyallahu Anhu se rivayat he k unhone suna k  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ka’ab bin Ajrah se farma rahe he’n,
” Ey Ka’ab bin Ajrah! Namaz Allah ke qurb ka zariya he aur Roza dhaal he aur Sadqa gunaho ko is tarah bujha deta he jis tarah paani aag ko bujha deta he,
Ey Ka’ab bin Ajrah! Log subeh karte he’n, kuchh to apni jaan ko bechne wale he’n pas wo apni gardan ko baandhne wale he’n aur kuchh log apne nafs ko kharidne wale he’n pas wo apni gardano ko azaad karne wale he’n,
Ravaah Abu yaala,
Next -115 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 115☆★
115- Sadqa khairaat kiya kijiye Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Aur ibne Husban ke alfaze hadees is tarah he :-
“Ey Ka’ab bin Ajrah! Jannat me dakhil nahi hoga wo shakhs jiske khoon aur gosht ki parvarish haraam kamai se hui, dozakh ki aag uske liye zyada munasib he,
Ey Ka’ab bin Ajrah! Log subeh karne wale he’n, pas kuchh log to apni gardan chhudane me subeh karte he’n to wo apni gardan ko azaad karne wale he’n
aur kuchh log is tarah subeh karte he’n k apni gardano ko baandhne wale hote he’n,
Ey Ka’ab bin Ajrah! Namaz Allah ke qurb ka zariya he aur Roza dhaal he aur Sadqa khata ko ese bujha deta he jese barf chikni chattan se niche gir jati he,”
Abi Sakhratul Masaa, 2/11
Next -116 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -116 ☆★
106- Sadqa e Fitr Eid se Pehle ada kijiye, Gunah maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Sadqa e Fitr Rozadar ko bekaar aur Fahash baato se paak kar deta he ( Jo haalate roze me usse sarzad ho gayi thi)
Aur gurba masakeen ke khane ki dawat he,
Isko Namaze Eid se pehle ada kar diya to bahut hi maqbool he,
Aur jisne isko Namaz( Eid) ke baad ada kiya to ye baqi sadqa ki tarah ek sadqa he, “(yani sawab me kuchh kami aa jati he)
Abu Dauwd, 1/227
Next -117 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -117 ☆★
117- Taajir Hazraat Sadqa khairat kiya kare, Lagv baato ka Gunaah maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Qais bin Garzah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Ey Ey sodagaro!  Khareed farokht me lagv aur be faayda baate bhi ho jati he’n aur qasam bhi khayi jati he to ( iske ilaaj aur kaffare ke liye) iske saath sadqa bhi mila diya Karo, ”
Abu Dauwd, 2/474
Next -118 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -118 ☆★
118- Ramzan me Galat Kaam na Kijiye, Roza rakhiye aur Achchhe kaam Kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Saied  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis bande ne Ramzan ka Roza rakha aur uske hudood ki pehchan haasil ki jin umoor ki ri’ayat zaruri he unki ri’ayat ki to uske tamaam guzishta gunaho ki magfirat kar di ja’egi, ”
Kanzul Ummaal, 8/481
Next -119 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 119☆★
119- Ramzan me darje Zail kaam kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Saied khudri Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Ramzanul Mubarak ka Mahina meri ummat ka Mahina he,
Jab musalman ne Roza ralha na usne jhoot bola aur na kisi ki geebat ki aur halaal rizq se aftaar kiya,
Andheri Raat me Fajar aur isha ki namaz me Jane ki sa’i karta raha,
Aur apne baqi fara’iz ki hifazat karta raha,
To apne gunaaho se esa nikal ja’ega jese saanp apni kenchuli se nikal jata he, ”
Ravaah Abu Shykh Kazafil targeeb, 2/102
Next -120 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 120☆★
120- Ramzan ki pehli Raat me tamaam Musalmano ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Tumhe khabar bhi he Tumhe kya cheez pesh aa gayi? kis cheez ka tum istaqbal kar rahe ho?
Teem martaba aapne irshad farmaya,
Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ne arz kiya,
” Ya Rasulullah! Kya wahi naazil hui he?
Irshad farmaya,
” Nahi, ”
Unhone arz kiya,
” Kya dushman ne chadhai kar di?”
Aapne irshad farmaya,
” Nahi ”
Hazrat Umar ne arz kiya,
” to fir kya baat pesh aayi'”
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Beshak Allah ta’aala maahe ramzan me pehli shab me us qabile ke tamaam logo ki magfirat farma dete he’n,”
Aur apne daste Mubarak se qabile ki taraf ishara farmaya, Aapke saamne ek shakhs jhoom raha tha aur waah waah kiye ja raha tha,
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Ey Falane kya tumhara seena tang ho gaya? ”
Kehne laga, ” nahi lekin me munafiq ko yaad kar raha hu’n, ”
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Munafiq to kaafir hi he’n aur kaafiro ke liye is fazilat me koi hissa nahi, ”
Kanzul Ummaal, 8/479
Next -121 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 121☆★
121- Roza rakhne aur Sadqa e Fitr ada karne Wale ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Ramzanul Mubarak ke roze rakhe aur Eid ke din gusl karke Eidgah ki taraf gaya
Aur Ramzanul Mubarak ke Sadqa e Fitr per khatm kiya to Eidgah se is haal me lotega k uski magfirat ho chuki hogi, ”
Kanzul Ummaal, 8/482
Next -122 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -122 ☆★
122- Ramzan me zikr Karne Wale ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Ramzanul Mubarak me Allah ta’aala ka zikr karne wala bakhsha bakhshaya he
Aur Allah ta’aala se maangne wala namuraad nahi rehta, ”
Kanzul Ummaal, 8/464
Next -123 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 123☆★
123- Ramzan me Maafi Maangiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Masud  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab Ramzaul Mubarak ki pehli raat hoti he to jannat ke tamaam darwaze khol diye jate hai’n pure mahine ek bhi darwaza band nahi rehta
Aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hai’n tamaam maah koi bhi darwaza nahi khulta
Aur sarkash  shayateen qaid kar diye jate hai’n,
Har raat ek munadi subeh tak pukarta he, :-
Ey khair ke talaash karne wale mutvajja ho aur basharat haasil kar
Aur Ey burai ke talabgar bas kar aur Aankhe khol,
Iske baad farishta kehta he, :-
Hey koi magfirat chahne wala k uski magfirat ki jaye,
Hey koi tauba karne wala k haq ta’aala Shanh uski tauba qubool farma le,
Hey koi Dua karne wala k uski Dua qubool ki jaye,
Hey koi maangne wala k uska sawal pura kiya jaye, ”
Kanzul Ummaal, 8/470
Next -124 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -124 ☆★
124- Jisne Ramzan ke Baad Shawal me 6 Roze rakhe, uske saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne maahe ramzan ke roze rakhe uske baad shawal me 6 ( nifl) roze rakhe wo apne gunaaho se nikal ja’ega, jis tarah apni maa se peydaish ke din tha, “( yani koi bhi gunaah baqi na rahega),
Ravaah Tabrani fil Avsati kazafil targeeb, 2/111
Next -125 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -125 ☆★
125- Arafa ke Din Roza rakhiye, Do saal ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu  Alaihivasallam se Arafa yani 9 Zilhijja ke Roze ke bare me puchha gaya to Aapne irshad farmaya,
” woh ( 9 zilhijja ka Roza rakhna) safai kar dega, isse pehle saal ki aur baad ke saal ki, ”
Yani iski barkat se ek saal pehle aur ek saal baad ke gunaho ki gandgiya’n dhul ja’egi,
kazafil targeeb, 2/111
Ek aur rivayat me alfaze hadees yu’n he k:
⇨Nabi kareem Sallallahu alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Me Allah se ummeed karta hu’n k woh ( 9 zilhijja ka Roza) safai kar dega isse pehle saal ki aur baad ke saal ki, ”
Hazrat Qatada bin N’amaan Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko irshad farmate hue suna k,
” Jisne Arafa ke din roza rakha yani 9 zilhijja ke din uski saale guzishta aur saale aainda ke gunaho ki magfirat kar di ja’egi,”
Ravaah ibne maaja kazafil targeeb, 2/112
Next -126 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 126☆★
126- Ashura ka Roza rakhiye, Ek saal ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Qatada Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Ashura ke Roze ke bare me puchha gaya to Aapne irshad farmaya,
” Ye guzishta saal ke gunaho ka kaffara ban ja’ega,”
( Muslim vagera aur ibne maaja ke alfaze hadees yu’n he)
” Yome Ashura ke roze ke bare me ummeed karta hu’n Allah ta’aala se k woh safai kar dega guzishta saal ke gunaho ki, ”
Muslim, 1/367
Ibne maaja, 164
Next -127 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -127 ☆★
127- Har maah Teen Roze rakh liya kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Maymuna bint Sa’ad  Raziyallahu Anha se marvi he mene arz kiya,
“Ey Allah ke  Rasool!  Nifl rozo ke bare me bataiye, ”
Aap Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo ist’adaad rakhta ho har mahine 3 roze rakh liya kare, kyuki har din ka Roza 10 khatao’n ki bakhshish ka zariya he aur ye gunaho se esa saaf suthra kar deta he jese paani kapde ko, ”
Ravaah Tabrani fil kabeer kazafil targeeb, 2/ 121
Next -128 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 128☆★
128-Jisne Budh Jumerat Aur Juma ke Din Roza rakha uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Budh, Jumerat aur Juma ke din roza rakha,
Fir Juma ke din sadqa kiya khwah qaleel miqdaar me ya kasheer miqdaar me
To uske tamaam gunaho ki magfirat kar di ja’egi hattaki wo esa ho ja’ega jesa k wo apni maa se pedaish ke din tha,” ( yani koi bhi gunaah baqi na rahega),
Ravaah Tabrani, 2/162
Next -129 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART -129 ☆★
129-Qazae haajat ke Waqt Qibla ki taraf na Moonh kijiye, na peeth, Ek Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs qazae haajat ke waqt na to qibla ki taraf moonh kare aur na peeth kare
Uske liye Ek neki likhi ja’egi aur Ek khata maaf ki ja’egi, ”
Kanzul Ummaal, 9/363
Next -130 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 130☆★
130- Allah ke Ghar ki Ziyarat karne wala Duniya me Aafiyat se rehta he aur Akhirat me uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Hazrat Dauwd Alaihissalam ne arz kiya, Ey mere Ma’abood!
Aapke Bando ka aap per kya haq he jab wo Aapke ghar aakar Aapki ziyarat kare?
Kyuki har ziyarat karne wale ka mezbaan per haq hua karta he,
Allah ta’aala ne irshad farmaya,
Ey Dauwd! Inka mujh per haq ye he k duniya me inko aafiyat aur salaamti se rakhu,
Aur jab akhirat me milu to inki magfirat kar du’n ”
Kanzul Ummaal, 5/146
Next -131 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – 131☆★
131- Paanch Cheeze dekhne se Gunaah maaf hote he’n
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Ek Sahabi  Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se naqal karte he’n k Aapne irshad farmaya,
” Paanch tarah ka dekhna ibaadat he
1- Qurane Paak ko dekhna
2- Kaabatullah ko dekhna
3- Walden ko nazre shafqat se dekhna
4- Zamzam sharif ko dekhna
5- Aalim ke chehre ko dekhna
Aur ye baate’n khatao ko giraati he yani maaf karati he, ”
Aur Daare Qatni me yu’n he k Ese Aadmi ko dekhna jo  muttaba e sunnat ho aur sunnat ki taraf Dawat deta ho aur Bid’at se rokta ho uske chehre ko dekhna ibaadat he,
Kanzul Ummaal, 15/880
Next -132 in sha Allah Ta’aala,.
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
─━═════▤▤═════━─┄
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -132 ☆★
132- Hajj kijiye, Aapke Gunaah maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Beshak Allah ta’aala apne khususi lutf v karam ke saath ahle Arafaat ki taraf mutavajjah hote he’n aur apne Bando ke zaraiye Mala’aka per fakhr farmakar irshad farmate he’n,
” Ey mere farishto!  Mere Bando ko dekho k paraganda Baal gubaar alood jism lekar door daraz ki raah tai karke mere darbaar me pahunche he’n,
Me tumko gavaah banata hu’n k mene unki duao’n ko qubool kar liya aur unki ragbat v khwahish ka me shifarshi ban gaya, unke badkaaro ko unke mohsineen ( nekiyokaro) ki vajah se maaf kar diya, unke nek logo ne Jo kuchh maanga wo mene de diya sivae tavaan aur dand ke Jo unke darmiyan he’n, ”
Fir jab log arafaat se lote to sab lapak kar chale yaha tak k muzdalfa me aakar thehre, Fir Allah ta’aala farmate he’n,
” Ey mere farishto! Mere Bando ko dekho dobara mujhse darkhwast karte he’n, me tumko gavaah banata hu’n k mene unki duao’n ko qubool kar liya, aur unki ragbat v khwahish ka shifarishi ban gaya aur unke badkaaro ko unke nekiyokaro ki vajah se maaf kar diya aur unke nek logo ne Jo kuchh manga wo mene unko de diya, aur unke tavaan aur dand Jo unke darmiyan the uska me kafeel yani zimmedar ban gaya,”
kazafil targeeb, 2/202
Next -133 in sha Allah Ta’aala,
 
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 133☆★
133- Jisne achchhi tarah Hajj kiya, uske Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he Aap irshad farma rahe the,
” Jisne is tarah Hajj kiya k usme na to kisi shehvani aur fahash baat ka irtkaab kiya aur na Allah ta’aala ki koi nafarmani ki
To wo gunaho se esa paak saaf hokar wapas hoga jesa us din tha jis din uski maa ne usko janaa tha, ‘”
Bukhari, 1/206,Muslim, 1/436
Next -134 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 134☆★
134- Islaam, Hijrat aur Hajj se guzishta Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abi Shamatah  Raziyallahu Anhu se rivayat he k hum Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ke paas unke akhri waqt me hazir hue, wo zaro qataar ro rahe the, ( aur diwaar ki taraf apna rukh kiye hue the),
Unke Sahabzade unhe samjhane lage k Ey Abba jan!  Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne to aapko badi badi basharate di he’n,
Ye sunkar unhone diwaar ki taraf se apna rukh badla aur farmaya,
” Bhai sabse afzal cheez jo humne akhirat ke liye taiyaar ki he wo Toheed aur Risalat ki shahadat he,
Meri zindgi ke 3 dor guzre he’n,
Ek dor tha jab k aapse bugz rakhne wala mujhse zyada koi aur shakhs na tha aur jabki meri sabse badi tamanna ye thi k kisi tarah aap per mera qaabu chal jaye to me aapko maar dalu,
Ye to meri zindgi ka sabse badtar dor tha, agar khudanakhwasta isi haal me mar jata to yaqeenan dozakhi hota,
Uske baad jab Allah ne mere dil me islaam ki haqqaniyat daali to me aapke paas aaya aur mene kaha,
Laaiye haath badhaiye, me Aapse Bay’at karta hu’n,
Aapne Haath badha diya, mene apna haath pichhe kheench liya,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Ey Amru! Ye kya?
Mene arz kiya “,me kuchh shart lagana chahta hu’n,
Farmaya, ” kya shart lagana chahte ho? ”
Mene kaha k mere sab gunaaho ki magfirat ho jaye,
Aapne farmaya,
Ey Amru! Kya tumhe khabar nahi he k islaam to kufr ki zindgi ke tamaam gunaho ko mita deta he aur hijrat bhi pehle tamaam gunaho ko saaf kar deti he aur hajj bhi pehle sab gunaah khatm kar deta he, ”
Sahi Muslim kitabul imaan, 1/76
Next -135 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -135 ☆★
135- Hajj aur Umrah kiya karo, Faqr door hoga aur Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Masud  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Pe dar Pe hajj aur umrah kiya Karo, kyuki hajj aur umrah dono faqr v mohtaji aur gunaaho ko is tarah door kar dete he’n, Jis tarah lohaar aur sunaar ki bhatti lohe aur sone chandi ka mel kuchel door kar deti he,
Aur Hajje mabroor ka sila aur sawab to bas jannat hi he, ”
Tirmizi, 1/100
Next -136 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 136☆★
136-Haji jiske liye magfirat ki Dua kare uske Gunaah maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Haaji ki aur jiske liye Haji bakhshish ki darkhwast karta he, uski Allah ta’aala magfirat farma dete he’n,”
Aur ek aur rivayat me yu’n he:
” Ey Allah! Haji ki aur jiske liye Haji magfirat ki darkhwast kare uski magfirat farma de, ”
Kanzul Ummaal, 5/137
Next -137 in sha Allah Ta’aala,
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -137 ☆★
137-Jab Haji ahraam baandh kar Talbiya padhta he, to uske Gunaah maaf ho jate he’n
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Sahal bin Sa’ad Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Nahi jata koi musalman Banda Allah ke raaste me ya koi haaji
La ilaaha illallah
Padhte hue ya “Labbayk ” padhte hue magar suraj uske Gunaaho ko lekar doob ja’ega aur woh gunaho se nikal ja’ega,”
Kanzul Ummaal, 5/18
Next -138 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -138 ☆★
138-Hajj ya Umrah karne wala Raaste me mar gaya to uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo Makka Mukarrama ke raaste me jaate ya aate hue mar gaya na uski adalat me peshi he aur na hisaab liya ja’ega aur uski magfirat kar di ja’egi,”
Ravaah al Subhani Kazafil targeeb, 2/179
Next -139 in sha Allah
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -139☆★
139-Jisne Masjide Aqsa se Hajj ya Umrah ka Ahraam baandha, uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Ummul Momineen Hazrat Umme Salma  Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Masjide Aqsa se Masjide haraam ki taraf Hajj ya Umrah ka ahraam baandha uske pichhle gunaho ki magfirat kar di ja’egi,”
Aur ek rivayat me itna izafa he k uske liye jannat wajib ho ja’egi, ”
Abu Dauwd, 1/243
Next -140 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 140☆★
140- Jisne manasike Hajj pure kiye aur Uske haath aur Zaban se musalman mehfooz rahe, Uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Manasike Hajj pure kiye aur uski Zabaan aur haath se musalman mehfooz rahe yani Hajj ke baad
To Allah ta’aala uske pichhle agle gunaho ki magfirat farma dete he’n”
Kanzul Ummaal, 5/8
Next -141 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
: ┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 141☆★
141-Jisne Maqame Ibrahim ke Pichhe Do raka’at padhi, Uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jisne Maqame Ibrahim ke pichhe do raka’at padhi to uske agle pichhle gunaho ki magfirat kar di ja’egi aur qayamat ke din imaan walo ke saath usko uthaya ja’ega, ”
kazafi khasalil Magfiratul ibne Hajar, 102
Next -142 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -142 ☆★
142- Jisne Betullah ke 50 Tawaf kiye, uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Betullah ke pachaas martaba tawaf kiye woh apne gunaaho se esa nikal ja’ega jis tarah apni maa se pedaish ke din tha,”
Akhrajah Tirmizi,2/192, Kazafil targeeb, 4/250
Next -143 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -143☆★
143- Tawaf karne wale ke har Qadam per Ek Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Allah ke is ghar ka 7 baar tawaf kiya woh na koi qadam uthata he na rakhta he magar Allah ta’aala uske liye ek neki likhte he’n aur ek gunaah usse mitate he’n aur uske liye ek darja buland farmate he’n,
Aur Raavi kehte he’n mene Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna k jisne Betullah ka saat baar tawaf kiya aur ahatmam v fikr ke saath kiya ( yani sunan v adaab ki riayat ke saath),
To uska ye amal ek gulaam azaad karne ke barabar hoga, ”
Kanzul Ummaal, 5/53
Next -144 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 144☆★
144- Jisne Hajre Aswad aur Rukne Yamani ka istlaam kiya, uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Hajre aswad aur Rukne yamani ka istlaam khatao’n ko mita deta he, ”
Imaam Tirmizi aur Haakim ke yaha’n alfaze hadees yu’n he:-
” Hajre aswad aur Rukne yamani gunaho ke kaffare ka zariya he ( Banda tawaf karte hue jab ek qadam rakhega aur doosre aqdaam uthaega to Allah ta’aala uske har qadam ke badle ek gunaah maaf karega aur ek neki ka sawaab uske liye likha ja’ega), ”
Kanzul Ummaal, 5/189
Next -145 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART - ☆★
145-Jo Betullah me dakhil ho gaya, Uske Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo Betullah sharif me dakhil ho gaya wo neki ki kaan me dakhil ho gaya aur gunaah se bakhsha bakhshaya nikal aaya, ”
Kanzul Ummaal, 12/197
Next -146 in sha Allah Ta’aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
146- Arafa ke Din bade bade Gunaah maaf hote he’n
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Gazwah Badar ka din to mustashna he ( isko chhodkar) shaytan kisi bhi din itna zaleel, itna khwar, itna dhutkara aur fatkara hua aur itna jala bhuna nahi dekha gaya jitna woh Arafa ke din zaleel v khwar, rusyah aur jala bhuna dekha jata he
aur ye sirf isliye k woh is din Allah ki rehmat ko ( moosladhar) baraste hue aur bade bade gunaaho ko maafi ka faysla hote hue dekhta he aur ye us la’ayn ke liye na qabile bardasht he
kyuki Badar ke din shaytan ne Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko dekha k wo mala’aka me pesh qadmi kar rahe he’n Jo musalmano ki madad ko utre the,”
Mota Imaam Maalik, Baab Jami’a al Hajj, 164
Next -147 in sha Allah Ta’aala,
*^▁^**^▁^**^▁^**^▁^*
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
147- Jisne Arafa ke Din apne Kaan, apni Nigaah aur Zaban ko Qabu me rakha, uske Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne a Raziyallahu Anhu farmate he’n k ek nav umar ladka Arafa ke din Huzur Paak Sallallahu Alaihivasallam ka ravyf tha( yani aapki sawari per aapke pichhe betha hua tha) pas Ye navjawan aurto’n ko dekhne laga,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne usko farmaya,
” Ey Bhatije! Ye wo din he k jisme agar Aadmi apne kaan apni nigaah aur apni zabaan per qaabu rakhe to Allah ta’aala uski magfirat farma denge, ”
Musnad Ahmad, 1/329
Next -148 in sha Allah Ta’aala,
*^▁^**^▁^**^▁^**^▁^*
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
148- Ek Raat ke Bukhar se Momin ke Saare Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Hasan Basri Rahmatullah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte he’n,
K Allah ta’aala ek raat ke bukhar se momin ke saare gunaah maaf farma dete he’n,”
Ravaah ibne Abiy Addunya, Ittehaaf,
Next -149 in sha Allah Ta’aala,
*^▁^**^▁^**^▁^**^▁^*
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
149- Allah ke Raaste me Aapke Sar me Dard hua to Sabr kijiye, Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah ta’aala ke raaste me jis shakhs ke sar me dard hua aur wo is per sawab ki niyat rakhe to isse pehle ke tamaam gunaah maaf kar diye ja’enge ”
Majma ul zawaid, 2/306
Next -150 in sha Allah Ta’aala,
*^▁^**^▁^**^▁^**^▁^*
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
150- Bimaar Aadmi ” La ilaaha illa anta……” 40 martaba Padhe,Saare Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Sa’ad bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate he’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
” Kya me tumko Allah ta’aala ka isme A’azam na batau’n k jiske zariy’a se Dua ki jaye to Allah ta’aala qubool farmate he’n,
Aur sawaal kiya jaye to pura farmate he’n?
Ye wo Dua he jiske zariy’a Hazrat Yunus Alaihissalam ne Allah ta’aala ka teen andheriyo’n me pukara tha,
☆La ilaaha illa anta subhanaka inni kuntu minazzalimeen ☆
Aapke siva koi ma’abood nahi aap tamaam aybo se paak he’n beshak me hi qusoorvaar hu’n,
( Teen andheriyo’n se muraad Raat, Samundar aur Machhli ke pet ke andhere he’n )
⇨Ek Aadmi ne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se puchha:
Ya Rasulullah! Kya ye dua Hazrat Yunus Alaihissalam ke liye khaas he ya tamaam imaan walo ke liye aam he?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Kya tumne Allah ta’aala ka irshad nahi suna k humne Yunus Alaihissalam ko musibato se nijaat di aur hum isi tarah imaan walo ko nijaat diya karte he’n,”
⇨Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo musalman is dua ko apni bimari me 40 martaba Padhe agar wo is marz me faut ho jaye to usko shaheed ka sawab diya ja’ega aur agar is bimari se use shifa mil gayi to is shifa ke saath uske tamaam gunaah maaf kiye ja chuke honge, ”
Ravaah Haakim, 1/506
Next -151 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄ ┄ ─━═════▤▤═════━─┄ *^▁^**^▁^**^▁^**^▁^*
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
151-Ayadat karne walo ke Saamne Bimaar Aadmi Allah ki Ta’areef kare, Uske Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jab Banda Bimaar pad jata he to Allah ta’aala uske paas do farishto ko ye kehkar bhejte he’n k,
” usko zara dekho apni ayadat ko aane walo se kya kehta he?
Fir agar wo bimaar banda mizaaj pursi ke liye aane walo ke saamne apni is haalat per Allah ki ta’areef karta he to farishte uske is qaul ko Allah ta’aala ki baargah me pesh karte he’n, Halanki Allah ta’aala sab se zyada jaanne wale he’n,
Fir Mala’aka se irshad hota he k,
” Isko agar maut de di to isko jannat me dakhil karunga aur agar Shifa di to pehle gosht se badiya gosht aur pehle khoon se badiya khoon isko dunga aur iske gunaho ko maaf kar dunga, ”
Kanzul Ummaal, 3/15
Next -152 in sha Allah Ta’aala,
→_→→_→→_→→_→
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
152- Bimaari se saare Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Mareez ka dard se karahna Tasbeeh he aur dard se cheekhna Tehleel he Aur saans lena sadqa he,
Bistar per letna ibadat he ek pehlu se doosre pehlu ki taraf karwat lena esa he jesa k Allah ki raah me dushman se qitaal kar raha ho,
Allah ta’aala farishto se farmata he k,
” Sahat ki haalat me woh Jo achchhe amal kiya karta tha unko naama amaal me likho, ”
Jab woh sahatyab hokar bistar se uthkar chalta he to is tarah ho jata he k goya usne koi gunaah nahi kiya jesa k apni maa se pedaish ke din tha,”
Kanzul Ummaal, 3/311
Next -153 in sha Allah Ta’aala,
→_→→_→→_→→_→
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
154- Safar me jiski Tabiyat kharaab ho gayi, Uske Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se marvi he k Huzur Paak Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Musafir Aadmi jab bimaar ho jaye aur apne daa’en baa’en aur aage pichhe dekhne lage aur koi bhi usko jaan pehchan ka Aadmi nazar na aaye,
To Allah ta’aala uske guzishta gunaho ko maaf farma deta he,”
Kanzul Ummaal, 3/308
Next -155 in sha Allah Ta’aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
153- Jo ek Raat ya isse zyada Bimaar raha uske Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte he’n k Aapne farmaya,
” Jo Aadmi ek raat bimaar raha, fir us per sabr kiye raha aur Allah ta’aala se raazi raha to woh apne gunaaho se ese nikal ja’ega jese maa se pedaish ke din tha yani kuchh bhi gunaah baqi nahi rahega,
Tirmizi fil targeeb, 4/299
Next -154,  in sha Allah Ta’aala,
,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
155- Bukhaar ko Bura Bhala na kaho, isse Gunaah Maaf hote he’n
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Umme Saa’ib ke waha tashreef le gaye, Aapne irshad farmaya,
” Are kya baat he, kapkapa rahi ho? ”
Wo arz karne lagi k bukhaar he Allah isme barkat na de,
Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Bukhaar ko bura mat kaho kyuki ye bani Aadam ki khataao’n ko is tarah door kar deta he jis tarah bhatti lohe ke mel ko door kar deti he,”
Sahi Muslim, 2/319
Next -156 in sha Allah Ta’aala,
,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -☆★
156- Ek Raat ke Bukhaar se Ek saal ke Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Mas’ud Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Bukhaar hissa he har momin ka aag se yani dozakh se aur ek raat ka bukhaar ek pure saal ke gunaho ka kaffara ban jata he,”
Akhrajatul Qana’iy,
Next -157 in sha Allah Ta’aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
157- Mamooli Bimari per Ek Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Kabhi bhi kisi musalman ki rag nahi fadki magar iski vajah se Allah ta’aala uski ek khata maaf farma dete he’n aur uske liye ek neki likhte he’n aur ek darja Allah ta’aala uska buland farma dete he’n,”
Kanzul Ummaal, 3/306
Next -158 in sha Allah Ta’aala,
,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
159- Bimaar Aadmi ki Dua Maqbool aur Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Bimaro ki ayadat kiya Karo aur unse apne liye dua ki darkhwast kiya Karo,
Kyuki mareez ki Dua maqbool he aur uska gunaah maaf he, ”
⇨Aur ek rivayat me Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Huzur Paak Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab tum mareez ke paas jao to usse apne liye dua ki darkhwast Karo kyuki mareez ki Dua farishto ki Dua ki tarah he, ”
Kanzul Ummaal, 9/96
Next -159, in sha Allah Ta’aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
159- Jisne Mareez ki Ayadat ki uske Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Ali bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu va Karamullahu Vajhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs shaam ke waqt kisi mareez ki ayadat kare to uske hamraah 70 hazaar farishte chalte he’n Jo subeh tak uske liye astagfaar karte he’n
Aur Jo subeh ke waqt kisi mareez ki ayadat ko jaye to uske hamraah 70 hazaar farishte chalte he’n Jo shaam tak uske liye astagfaar karte he’n,”
Abu Dauwd, 2/442
Next -160, in sha Allah Ta’aala,
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆★
160- Haalate islaam me jiska ek Baal safed hua uska ek Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anha se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Haalate islaam me koi Aadmi budha nahi hota magar Allah rabbul izzat iski vajah se uske liye ek neki likhte he’n aur uski ek khata maaf farma dete he’n,”
Abu Dauwd, 29/578
Next -161, in sha Allah Ta’aala,
♝ ♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
     ★☆ PART – ☆★
161- Namunasib haalaat per Sabr kijiye, Gunaah Maaf
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Bala har roz puchhti he k aaj kis taraf rukh karu?
Haq ta’aala irshad farmate he’n,
” Mere mehboob aur maty’a farmabardaar bando ki taraf, teri vajah se logo me se sabse behtreen ko jaanchta hu’n aur unke sabr ka imtihaan leta hu’n aur unke gunaho ko zaail karta hu’n aur Teri hi vajah se unke darjaat buland karta hu’n, ”
Farakhi ( khushali ) bhi roz Allah ta’aala se punchhti he k aaj kidhar ka rukh karu?
Irshad hota he,
” Mere dushmano aur mere nafarmaano ki taraf, tere zariye unki sarkashi badhana chahta hu’n unke gunaho me izafa karna chahta hu’n aur Teri vajah se unki fori giraft karta hu’n aur Teri vajah se unki gaflat zyada karna chahta hu’n,”
Kanzul Ummaal, 3/341
Next -162 in sha Allah Ta’aala,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬158 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Agar  koi  kahe  Allah  ki  Qasam Teri  Magfirat  nahi  hogi , To  Sabr  Kijiye,  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Ek  Aadmi  ne  kaha  k  Allah  ki  qasam!  Allah  ta’ala  falaa  ki  magfirat  nahi  farmayega,
Haqq  ta’ala  Shanh  ne  irshad  farmaya,
” Kon  he  Jo  mere  bare  me  qasmiya  kehta  he  k  me  falaa  ki  magfirat  nahi  karunga?
Mene  falaa  (gunahgar)  ki  magfirat  kar  di  aur  tere  amaal  barbaad  kar  diye, ”
 Akhraja Muslim, 2/329
Next -159 ©ontinue in sha Allah,,
★               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬159 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Na  munasib  Haalat  per   Sabr  Kijiye  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Bala  har  Roz  puchhti  he  k  Aaj  kis  Taraf  Rukh  karu?

Haq  ta’ala  irshad  farmate  he’n,
” Mere  Mehboob  aur  maty’a  farmabardaar  Bando  ki  Taraf , 
Teri  vajah  se  logo  me  se  sabse  behtreen  ko  jaanchta  hu’n  aur  unke  Sabr  ka  imtihaan  leta  hu’n  aur  Unke  Gunaho  ko  zaail  karta  hu’n  aur  Teri  hi  vajah  se  Unke  darjaat  Buland  karta  hu’n, ”
Farakhi  ( khushali )  bhi  Roz  Allah  ta’ala  se  punchhti  he  k  Aaj  kidhar  ka  Rukh  karu?
Irshad  hota  he,
” Mere  Dushmano  aur  mere  na-farmaano  ki  taraf,
tere  zariye  unki  sarkashi  badhana  chahta  hu’n  unke  Gunaho  me  izafa  karna  chahta  hu’n  aur 
Teri  vajah  se  unki  fori  giraft  karta  hu’n  aur  Teri  vajah  se  unki  gaflat  Zyada  karna  chahta  hu’n,”
 Kanzul  Ummaal, 3/341
Next -160 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬159 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Talabe  Ma'as  me  Jo   Thaka  Uske  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Aayesha  Raziyallahu  Anha  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jis  Shakhs  ne  Shaam  ki  is  haalat  me  k  Apne  haath  se  Kaam  karne  ki  vajah  se  thaka  hua  tha 
to  usne  shaam  ki  is  haalat  me  k  uski  magfirat  ho  chuki, ”
 Kanzul  Ummaal, 7/4
Next -161 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬161 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Teen  Cheezo  Ko  Chhipaiye  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★  Teen  cheeze  neki  ke  khazano  me  se  he,
1- Sadqa  ko  makhfi  tareeqe  se  Ada  karna,
2- Musibat  ko  chhipana,
3- Har  qabil  shikayat  baat  ko  chhipana,
Allah  ta’ala  ka  irshad  he,
” Jab  me  Apne  kisi  bande  ko  aazmaish  me  mubtila  karu,  fir  wo  sabr  kare  aur  apni  iyadat  ke  liye  aane  walo  se  shikayat  na  kare,
Fir  me  usko  tandurast  kar  du  to  uske  gosht  se  badiya  gosht  aur  uske  khoon  se  badiya  khoon  badle  me  use  ataa  karta  hu’n,
Aur  agar  usko  chhor  du  ( yani  mareez  hi  ki  haalat  me  zinda  rakha)  to  is  haal  me  chhorta  hu’n  k  us  per  koi  gunaah  baqi  na  rahe
Aur  agar  uski  rooh  qabz  karu  to  is  haal  me  qabz  karunga  k  me  apni  Rehmat  me  usko  thikana  dunga, ”
 Kanzul  Ummaal, 15/480
Next -162©ontinue in   Allah,,
★               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬162 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Ranjo  Gam  aur  Ma'asi  Takarrufaat  se  bhi  Gunaah  Maaf  Hote  he'n ,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Aayesha  Raziyallahu  Anha  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jab  Bande  ke  gunaah  bahut  ho   jaye  aur  uska  koi  amal  esa  nahi  hota  Jo  un  gunaho  ka  kaffara  ban  sake
To  Allah  ta’ala  usko  gam  me  mubtila  kar  dete  he’n  taki  Allah  ta’ala  us  gam  ki  vajah  se  uske  gunaho  ko  maaf  farma  de, ”
 Akhraja Ahmad, 4/287
⇨•Hazrat  Abu  Hurayra  Raziyallahu  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Momin  ko  Jo  thakan  pahunchti  he  aur  marz  pahunchta  he  aur  Fikr  v  Ranj  aur  Aziyat  aur  Gam, 
hattaki  kaanta  bhi  chubhta  he  to  Allah  ta’ala  in  tamaam  ki  vajah  se  uski  khatao'n  ko  maaf  farma  dete  he’n,”
 Akhraja Bukhari v Muslim,
Next -163 ©ontinue in sha Allah,,
★               ◡
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬163 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Maldaar   ko  Mohlat  dijiye  aur  Gareeb  ka  Qarz  Maaf  Kijiye,  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★• Qayamat  ke  din  Allah Ta'ala  ke  paas  uske  bando  me  se  ek  bande  ko  laaya  ja’ega  jisko  Allah  ta’ala  ne  duniya  me  maal  ataa  farma  rakha  tha,  irshad  farma’ega,
” Duniya  me  kya  Amal  kiya?
Wo  arz  karega,
” Ya  Allah !  Mene  koi  Amal  esa  nahi  kiya  ( jisko  teri  jaanib  me  pesh  kar  saku )  Albatta  itni  baat  zaroor  he  k  tune  mujhe  maal  ataa  farmaya  tha,
→ Me  logo  se  tijarat  kiya  karta  tha  aur  meri  ye  khaslat  thi  k  maaldar  ko  mohlat  de  deta  tha  aur  tangdast  ko  maaf  kar  diya  karta  tha,”
⇨• Haq  ta’ala  Shanh  irshad  farmaega,
” ( ye  kareemana  ravayya  )  mere  liye  zyada  sazadaar  he  aur  me  iska  tujhse  zyada  haqdaar  hu’n  k  maafi  aur  darguzar  ka  maamla  karu, ”
→• Allah  ta’ala  farishto  se  farmaega  k,
” mere  is  bande  se  darguzar  Karo, ”
 kazafil targeeb, 2/43
Next -164 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬164 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Ek  Doosre  Se  Na  Bolne  Wale  Baham  Sulah  Kar  le,  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Abu  Hurayra  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k
” Peer  aur  Jumeraat  me  Allah  har  musalman  ki  magfirat  farma  deta  he  sivae  un  do  shakhso  ke  jinhone  aapas  me  bolna  chhor  rakha  he, ”
Irshad  hota  he  k,
” in  dono  ko  chhor  do  yaha  tak  k  ye  dono  sulah  kar  le,”
Ravaah ibne maaja, kitabussiyaam, 124
Next -165 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬165 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jisne  Na-bina  Shakhs  ko  Raasta  dikhaya  Uske  40  Kabira  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  ibne  Abbaas  Raziyallahu  Anha  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jo  Na-bina  Aadmi  ko  le  chala  hattaki  Uske Ghar  tak  pahuncha  diya  to  Uske  40  Kabira  Gunaaho  ki  Magfirat  kar  di  ja’egi
AUR  4  Kaba’ir  bhi  dozakh  ko  Wajid  kar  dete  he’n, ”
 Kanzul Ummaal, 15/792
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬166 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Aapko  koi  Takleef  Pahunchaye   Maaf  kar  Dijiye , Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Abu  Darda  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jis  kisi  Musalman  ko  Apne  jism  me  koi  Takleef  Kisi  Aadmi  Kï  Taraf  se  pahunche,  fir  Wo  usko  Maaf  kar  de  to  Allah  ta’ala  uska  ek  darja  Buland  farma  dega  aur  ek  khata  uski  Maaf  farma  dega, ”
 Kanzul Ummaal, 12/15
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬167 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Aapko  koi  Zakhm  Pahunchaye  To  maaf  kar  dijiye  ,Aapke  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Ubada  bin  Saamit  Raziyallahu  Anhu  Huzur  Paak  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ka  irshad  naqal  karte  he’n  k  Aapne  irshad  farmaya,
” Jis  Aadmi  ke  jism  ko  zakhmi  kar  diya  jaye  fir  ye  zakhmi  jarah  ko  maaf  kar  de
to  baqadre  maafi  Allah  uske  Gunaho  ko  maaf  farma  denge, ”
 Kanzul Aamaal, 12/15
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬168 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Logo  Ke  Saath  Achchha  Sulooq  Kijiye,  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★Hazrat  Abu  Hurayra  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k. Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Khush  khalqi  Gunaho  ko  ese  pighla  deti  he  jese  suraj  barf  ko  pighla  deta  he, ”
 Kanzul Ummaal, 3/3
⇨ ” Khush  khalqi  khataao'n  ko  yu’n  pighla  deti  he  jis  tarah  paani  barf  ko  pighla  deta  he  aur  bad  khalqi  Amal  ko  yu’n  bigaad  deti   he  jis  tarah  sirka  shahad  ko  bigaad  deta  he, ”
 Kazafil targeeb, 3/409
Next -169 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬169 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Do  Musalman  Mulaqaat  ke  Waqt  Musafa  kare  aur  Muskuraye , Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Abu  Dauwd  Al A’amaa  Raziyallahu  Anhu  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  se  rivayat  karte  he’n  k. Aapne  irshad  farmaya,
” Do  musalman  jab  aapas  me  mile  aur  musafa  kare  aur  un  dono  me  se  har  ek  apne  saathi  ke  chehre  ko  dekh  kar  muskuraye
aur  ye  tamaam  amal  Allah  hi  ke  liye  ho  to  juda  hone  se  pehle  dono  ki  magfirat  kar  di  ja’egi,”
Ravaah Tabrani Kazafil targeeb, 3/431
Next -170 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬170 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Bhooko  ko  Khana  Khilaiye  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★, Hazrat  Jaabir  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Bhooke  musalman  ko  khana  khilana  bhi  magfirat  ko  wajib  karne  wale  aamaal  me  se  he, ”
 Kanzul Ummaal 9/243
⇨ Hazrat  Anas  Raziyallahu  Anhu  se  rivayat  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  farmaya,
” Jo  shakhs  Apne  musalman  Bhai  ki  bhook  ki  vajah  se  ( khaane  ka )  ahatmaam  kare,  aur  fir  usko  khaana  khilaye  hattaki  woh  ser  ho  jaye  aur  usko  pilaye  yaha  tak  k  woh  seraab  ho  jaye,  to  uski  magfirat  kar  di  jati  he,”
 Ravaah Abu Ya’alaa, kanzul Ummaal, 2/424
Next -171©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬171 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Pyaso  Ko  Pani  Pilaiye   Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Abu  Huraira  Raziyallahu Anhu  Se  Marvi   he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Us  asna  me  k  ek  Aadmi  chala  ja  raha  tha,  use  Sakht  pyaas  lagi,  chalte  chalte  use  ek  kunva  mila  woh  Uske  Andar  utra  aur  paani  pikar  bahar  nikal  aaya,
Kunve  ke  Andar  se  nikal  kar  usne  dekha  k  ek  kutta  he  jiski  zubaan  bahar  nikli  hui  he  aur  pyaas  ki  shiddat  se  wo  keechad  chaat  raha  he,
Us  Aadmi  ne  Dil  me  Kaha  k  is  kutte  ko  bhi  pyaas  ki  esi  hi  takleef  he  jese  k  mujhe  thi,
Aur  wo  us  kutte  per  Raham  kha  kar  fir  us  Kunve  me  utra  aur  apne  chamde  ke  moze  me  paani  bhar kar  usne  usko  apne  moonh  me  thaama  aur  Kunve  se  nikal  aaya  aur  us  kutte  ko  wo  paani  pila  diya,
Allah  Ta'ala  ne  uski  Raham  dili  aur  us  mehnat  ki  qadar  farmayi  aur  is  Amal  per  uski  bakhshish  ka  faysla  saadir  farmaya, ‘
Baaz  Sahaba  Raziyallahu  Anhum  ne  Huzoor  Sallallahu  Alaihivasallam  se  ye  waq’aya  sunkar  daryaft  kiya,
Ya  Rasulallah !  Kya  Jaanwaro  Kï  Takleef  door  karne  me  bhi  hamare  liye  ajro  sawab  he ?
Aapne  farmaya,
“Haa’n  har  Zinda  aur  tar  jigar  rakhne  Wale  Jaanwar  ( ki  Takleef  door  karne )  me  sawab  he, ”
 Bukhari, 1/318, Muslim, 2/237
Next -172 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬172 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Agar  Koi  Fareeq  Sauda  Khatm  Karna  Chahe  to  Khatm  kar  dijiye  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★Hazrat  Abu  Huraira  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
“ Jo  Banda  Apne  Kisi  Musalman  Bhai  ke  Saath  iqaala  ka  maamla  kare  ( yani  uski  bechi  hui  ya  kharidi  hui  cheez  ki  wapsi  per  raazi  ho  jaye )  to  Allah  ta’ala  uski  galtiya’n  ( yani  gunaah)  bakhsh  dega, ”
 Ravaah abu Dauwd, 490, ibne maaja, 2/566
Next -173 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬173 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jisne  Raaste  se  Khaar  Daar  Tehni  Hatayi  Uske   Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Abu  Huraira  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k. Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Us  Shakhs  ki  Magfirat  kar  di  ja’egi  Jo  logo  ke  Raaste  se  khaar daar  Tehni  ko  hata  de  aur  Uski  ye  Magfirat  guzishta  aur  Aainda  Gunaaho  ki  hogi, ”
 Kanzul Ummaal, 2/420
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬174 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jo  Bigde  hue  Talluq  ko  Hamwaar  karne  me  Pahal  Kare  Uske  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★• Hazrat  Hishaam  bin  Aamir  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Kisi  musalman  ke  liye  halaal  nahi  he  k  doosre  musalman  se  3  din  se  zaa’id  qata  talluq  rakhe,
→ Pas  agar  wo  3  din  se  zyada  qata  talluq  kiye  rahe  to  wo  dono  haq  se  tajavuz  karne  wale  he’n  jab  tak  wo  dono  apni  ladaai  per  qaa’im  rahe,
→ Aur  un  dono  me  se  pehle  sulah  ki  taraf  ruju  karne  wale  ke  liye  sulah  ki  taraf  sabqat  aur  pehal  uske  Gunaah  ka  kaffara  ban  ja’egi,
→ Aur  agar  wo  dono  apni  ladaai  ko  baqi  rakhte  hue  mar  gaye  to  jannat  me  dakhil  na  honge, ”
 Ravaah  Bukhari, Muslim, 142
Next -175 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬175 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Mehmaa  Ka  Eyzaaz  v  ikraam  Kijiye,  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Salman  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jab  Kabhi  bhi  Koi  Musalman  Apne  Musalman  Bhai  se  mulaqaat  ke  liye  jaye  aur  mezbaan  mehmaan  ka  eyzaaz  v  ikraam  karne  ki  garaz  se  mehmaan  ko  takiya  pesh  kare  to  Allah  ta’ala  us ( mezbaan)  ki  Magfirat  farma  denge,”
 Kanzul  Ummaal, 9/155
Next -176 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬176 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jisne  Musalman  Bhai  Kï  Koi  Haajat  Puri  Ki , Uske  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Anas  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jo  shakhs  Apne  musalman  Bhai  ki  kisi  haajat  me  chala 
To  Allah  ta’ala  har  qadam  ke  badle  70  nekiya’n  likhenge  aur  70  gunaho  ko  mita’enge  yani  maaf  farma’enge,
Yaha  tak  k  Wo  us  maqaam  per  lotkar  wapas  aa  jaye  jaha  usne  Apne  Bhai  ko  chhora  tha,
Ab  agar  usne  uski  haajat  puri  kar  di  to  wo  Apne  gunaaho  se  esa  nikal  aa’ega  jis  tarah  apni  maa'n  se  pedaish  ke  din  tha ( yani  kuchh  bhi  gunaah  baqi  na  rahega ) 
Aur  agar  isi  sa’i  v  koshish  me  wafaat  paa  gaya  to  jannat  me  bager  hisab  dakhil  ho  ja’ega, ”
 kazafil targeeb, 3/392
Next -177©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬177 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jisne  Musalman  Bhai  ko  Khush  Kar  Diya  Uske   Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat   Hasan  bin  Ali  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Magfirat  ko  wajib  karne  wale  Aamaal  me  ye  bhi  he  k  tu  Apne  Musalman  Bhai  ko  khush  kar  de, ”
 Kanzul  Ummaal, 2/433
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬178 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Jo  logo  Ke  Darmiyan  Sulah  Karaye  Uske  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Anas  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jo  logo  ke  darmiyan  Sulah  karayega  Allah  ta’ala  uske  maamle  ko  durust  farma  denge
Aur  har  kalme  ke  badle  Jo  daurane  guftgu  usne  bola  ek  gulaam  azaad  karne  ka  Sawab  ataa  farmaenge 
Aur  ( Apne  Ghar )  is  Haal  me  lotega  k  uske  Guzishta  Gunaho  ki  Magfirat  ho  chuki  hogi, ”
 kazafil  targeeb, 2/489
Next -179 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬179 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Aapke  Gunaah  Zyada  he  To  Pani  Pilaiye  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Anas  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Jab  tere  Gunaah  Zyada  ho  jaye  to  baar  baar  pani  pila ( agar  tu  pani  ke  kinare  per  ho ) 
Is  amal  se  tere  gunaah  is  tarah  jhad  ja’enge  jis  tarah  sakht  hawa  me  darakht  se  patte  jhad  jaate  he’n,”
 Kanzul  Ummaal, 2/209
Next -180 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬180 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Ahle  Khana  aur  Padosiyo  ki  Haq  Talfi  ka  Kaffara
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Huzefa  Raziyallahu  Anhu  se  Marvi  he  k  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Aadmi  agar  apne  ahalo  ayaal  aur  apne  maal  jaan  aur  aulaad  aur  padosi  ke  bare  me  kisi  musibat  me  mubtila  ho  jaye 
To  Roza,  Namaz,  Sadqa,   Amr  bil  ma’aroof  aur  nahi  anil  munkar ( Bhalai  ka  hukm  karna  aur  Burai  se  rokna  )  iska  kaffara  ban  ja’enge, ”
 Sahi Bukhari 1/75,Muslim, 82
Next -181 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬181 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Salaam  Kijiye  aur  Naram  Guftgu  Kijiye,  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Hazrat  Haani  bin  Yazeed  Raziyallahu  Anhu  se  marvi  he  k. Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  irshad  farmaya,
” Magfirat  ko  wajib  karne  wale  Aamaal  me  se  Salaam  ko  felana  aur  kalaam  ko  narmi  aur  khubi  se  pesh  karna  bhi  shamil  he, ”
 Kanzul Ummaal, 9/116
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬182 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Allah  Ta'ala  Ka  Darwaza  Khatkhata  te  Rahiye ,   Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Allah  Ta'ala   ka  irshad  he,
” Ey  ibne  Aadam  teen  baate  he’n  ek  mere  liye , ek  tere  liye  aur  ek  tere  aur  mere  darmiyan  mushtarik  he,
Bahar - haal  Jo  mere  liye  he  wo  ye  he  k  tu  meri  is  tarah  ibaadat  kar  k  mere  saath  kisi  ko  bhi  shareek  na  thehra,
Aur  Jo  tere  liye  he  wo  ye  he  k  tu  Jo  bhi  amal  karega  ( bhala  ya  bura )  me  tujhe  uska  badla  dunga,  fir  agar  me  tujhko  maaf  kar  du  to  me  gafoorur  Raheem  hu’n,
Aur  wo  baat  Jo  mere  aur  tere  darmiyan  mushtarik  he  wo  ye  he  k  Dua  aur  Sawaal  ki  zimmedari  Teri  aur  Ataa  aur  qubooliyat  ki  zimmedari  mujh  per  he, ”
 Akhraja Tabrani,
Next -183 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬183 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Agar  Nama  e  Amaal  ke  Shuru  me  aur  Aakhir  me  Khair  likhi  ho  to  Darmiyan  Ke   Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★ Kiraman  Kaatbeen  apna  noshta  jab  Allah  Ta'ala  ki  janaab  me  pesh  karte  he’n  aur  haq  ta’ala  Shanh  Naama  amaal  ke  shuru  me  aur  Aakhir  me  mulahiza  farmata  he  k  khair  likhi  hui  he  to  Haq  ta’ala  Shanh  farishto  se  farmata  he,
” Tum  gawah  raho  k  mere  Bande  ke  Naama  Amaal  ke  Darmiyan  me  Jo  kuchh  he  usko  mene  maaf  kar  diya,”
 Kanzul  Ummaal, 15/781
Next -184 ©ontinue in sha Allah,,
★             
          ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
              ﺑِﺴْـــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
          ┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
 GULDASTA-E-MAGFIRAT 
     ❀ Mayoos Kyu Khada He ❀
              ⚄ PART↬184 ⚄
                ◉••◯••◉✧◉••◯••◉
⊙ Naama  Amaal  ke  Shuru  Aakhir  me  Astagfaar  he  To  Darmiyan  Ke  Gunaah  Maaf,
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
★  Farmaya  Rasulullah  Sallallahu  Alaihivasallam  ne  k,
” Aamaal  likhne  Wale  farishte  jab  bhi  kisi  din  Allah  Ta'ala  ki  baargah  me  ( kisi  bande  ke ) Naama  Amaal  pesh  karte  he’n  aur  Allah  ta’ala  Naama Amaal  ke  avval  v  Aakhir  me  astagfaar  dekhta  he  to  Allah  tabarak  v  ta’ala  farmata  he k
Mene  apne  bande  ke  tamaam  gunaah  aur  qasoor  maaf  kar  diye  Jo   iske  Naama  Amaal  ke  Avval  v  Aakhir  ke  Darmiyan  likhe  hue  he’n, ”
 Bizaar,
 Alhamdulillah Akhtaam
   
      ⓖ Haqq Ka Daayi,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

Post a Comment

0 Comments