. ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*💕SHAYAD K TERE DIL ME 💕*
*◐_UTAR JAYE MERI BAAT _◐*
*_((Part No 01))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Mere Dosto ! Imaan bil gaib asal imaan he, ◐*
*❖_ Allahu akbar ! Imaan bil gaib ka haal ye hai k Hazrat Ali raziyallahu anhu ne farmaya k→ tum meri nazro se aasmaan ke parde hata kar jannat aur jahannam ko dikha do to mere imaan aur yaqeen me zarra barabar bhi izafa nahi hoga,,,*
*❖_ Allahu Akbar !, bager dekhe imaan itna ban chuka he to hamara imaan itna bhi nahi ban sakta ? lekin itna to imaan ban sakta hai k hum Allah ta’ala ke vaado per yaqeen karke haraam chhod de’n, zina chhod de’n, sood chhod de’n, khayanat chhod de’n, Sharaab chhod de’n, bad dayanati chhod de’n ,,*
*→ itna yaqeen haasil karna har musalman per Farz he,,*
*❖_ Allah ke hukmo pe chalna seekho, Huzoore paak sallallahu alaihivasallam ke noorani aur paakiza tareeqe seekho,*
*→ afsos hai, hume imaan seekhne ki zaroorat hi mehsoos nahi hoti,,→ haqeekat me imaan ki kamzori ka Ahsaas hi nahi hai,,,*
*❖_ log to abhi kahenge, are ye bhi koi seekhne ki cheez he ?*
*→haan bhai haan ! yahi to seekhne ki cheez hai, isi ko baqaa he, baqi har cheez fanaa hai,,*
*❖_ Allah hume imaan ki ki fikr ata kare aur isko seekhne ke liye har line ki qurbani dene wala banaye,.,Aameen ya Rabbul Aalameen,,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 02))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Hamare Eyman Ki Haqeeqat, ◐*
❖_ Mere DOSTO,, Hamare paas imaan hai kitna, aur kesa he ?
→ ek misaal hai,, ek baniya raaste me ja raha tha,, use ek chor mil gaya,, us waqt chor ke paas koi hathiyar nahi tha to usne raaste se ganne ka chhilka uthaya aur baniye se kehne laga,,“Jo kuchh tere paas he nikaal de,, baniye ne Jeb se kuchh paise nikaal kar chor ko de diye,,
us chor ne kaha,, Mai'n keh raha hu'n saara nikaal de aur tu ye paise de raha hai !
baniye ne kaha pehle apna hathIyar to sambhal le, kis hathyar pe saara maang raha he,,,
❖_ Mere dosto,, hum Jo kehte hai, Allah hamari madad nahi kar raha,
hamari Duae'n qubool nahi kar raha,,
hamare masle hal nahi ho rahe,,
→ab hum pehle apne aapko to dekh le,,
humara Allah ke saath kesa maamla he,?
❖_ Hum to mere Bhaiyo is zameen pe rehne ke Qabil bhi nahi hai’n ,,
saara mulk andar dhans jaye, barbaad ho jaye,,
mulk ki kya baat kare,
poori duniya is waqt dha'ns jaye,
→ humari nafarmaniya to is darze pe pahunch chuki he,,
Allah ko humne diya kya he aaj tak ? Jesa de'nge wesa aayega,,
❖_ humne Allah ke liye lagana chhod diya,,
→maal ko apni milkiyat samajha,,
→jaan ke hum khud maalik ban bethe,,
→ masjide kaatne lagi,, Deen se begane ho gaye
→,, sunnate bojh ban gayi,,
→deeni majlise khali khali hai,,
→ Deendaro ki sohbat hume pagalpan nazar aati hai,,,
kya kya kahu'n bhaiyo,, hum to kisi Qabil bhi na rahe,,
❖_,Plz... laut aao us Deen ki taraf jisme tamaam masa'il ka hal hai,,
jisme duniya akhirat ki bhalayi hai,,
Allah hume deen ki sahi samajh ata kare,,
●Aameen ya Rabbul aalameen,●
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 03))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Daava imaan Ka Amal se Khali, ◐*
❖_ ⇨Mere DOSTO ! Har musalman Quran per imaan rakhta hai aur iske bager wo momin ho nahi sakta,,,
→magar sawal ye he k hamara Quraan per imaan hai kitna?
Quraan ko jaante kitna hai'n ?
Sirf ye keh dena k ye Allah ki kitaab he, Ye huzoore paak sallallahu alaihivasallam per naazil hui,,,
❖_ To mere dosto itna yaqeen to Makka ke mushriko, kafiro ko bhi tha,→ wo bhi maante they k ye Allah ki kitaab he,, Unhe to ishkaal is baat per tha k ye huzoore paak sallallahu alaihivasallam per kyu naazil hui, ?
kisi bade ra'ies, chodhri, baadshah pe kyu naazil nahi hui,?,,
❖_ Quran per wesa Eyman lana Jo iska haq he, →huzoore paak sallallahu alaihivasallam ke saamne kisi ne geebat kar di, Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya k tu Qur'an per imaan nahi laya,
un sahabi ne farmaya k Mai'n to Qur'an per imaan laya hu'n ,
Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya, ”_ wo shakhs Qur'an per imaan nahi laya Jo Qur'an ke Haraam ko Haraam or Quran ke Halaal ko Halaal na samjhe ,,
❖_ Mere Bhaiyo zara soche ! kya isi ko Qur'an per imaan lana kehte he ?
→Qur'an kahe momin jhoota nahi hota,,, aur hum jhoot per jhoot bole ja rahe,,
Qur'an kahe Halaal kama'o, aur hum Haraam ki doad laga rahe,,
Qur'an kahe sood Allah ke saath Elane jung he,, aur hum kahe iske bina hamara dhanda nahi chalta,,,
Qur'an kahe zina ke qareeb bhi na ja'o,,,aur hum rozana zina ko aam kar rahe,,
Quraan kahe maa baap tumhare liye jannat he,, aur hum unke dilo ko dukhaye ,,
Quraan kahe namaz padho, roza rakho, zakaat do,,, aur hamare kaano me joo'n tak na renge,,,,
❖_ Or kya kya me likhu Dosto, hum kese nafarman he,,
⇨Ye kesa imaan he ? Socho mere Bhaiyo,, Plz Plz Plz,,Socho !
Allah samajh ata kare aur Qur'an per poora poora Amal ki tofeek ata kare,, Aameen ya Rabbul aalameen,●
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 04))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Imaan Seekho Maut Se Pehle Pehle ◐*
❖_ Kal ek Bhai ne comment kiya k hum to islaam wale hai'n, hume kalme ko seekhne ki kya zaroorat he,,?
❖_→ Beshaq hum islaam wale hai'n magar shayad humne seerate Nabi Sallallahu Alaihivasaalam ko padha nahi,, Aap sallallahu Alaihivasaalam ki poori hayaat E Tayyaba kalme ki dawat aur kalme ki mehnat se bhari hui he,,
→ Sahaba Raziyallahu Anhum ki poori zindgi is kalme ko seekhne me guzri,,
⇨zabaan se to ek tote ( parrot) ko bhi rata do, bol lega,, iski kya garanti he k jab maut aayegi to kalma niklega ya tay tay??
❖_ Ek waqia he,, Hazrat Sharahbeel bin Hasana Raziyallahu Anhu ek duble patle sahabi they vahi ke kaatib( likhne wale ) they, Misr me ek qila fateh nahi ho raha, ka'i din guzar gaye,
ek din in sahabi ko josh aaya, ghode ko Ayd laga kar aage bade aur faseel ke qareeb Jaa ke farmaya,→” – e qubtiyo ! Suno hum ek ese Allah ki taraf bula rahe hai'n jiska tumhare is qile ko todne ka iraada ho jaye to aan ki aan me tod sakta he,,
Laa ilaha illallahu Allahu Akbar,, keh kar Jo shahadat ki ungli uthayi, saara qila zameen pe aa gira,, Allahu Akbar,
❖_ unhone ye kalma seekha tha, Saalo mehnat ki thi is Kalme Ko Seekhne Per, hum to wo gadhe hai'n jisne sher ki khal pehan li aur apne aapko sher samajh bethe, aur kehte hai'n hum islaam wale hai,, abhi to humne alfaaz seekhe Hai'n kalma nahi,,,
⇨ jab kalma andar utrega to baatil ese tootega jese ande (Egg) ka chhilka,,
❖_Allah hume maut se pehle pehle samjhade, Aameen Ya Rabbul Aalameen _,"
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 05))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Muhammadi Bano,, ◐*
*❖_⇨ Mere Dosto ! Deen muft me nahi mila karta,, jaan maal lagana padta he,,→haa’n ! yu’n na kaho k jalse ke liye chanda de diya aur humne jannat ka theka le liya, Allah ta’ala ki Qasam! Ye dhoka dil se nikaal do,,madarse me chanda dekar ya masjid me chanda dekar hum ye samajh le'n k humne jannat ka theka le liya,, to ye dhoka aaj dil se nikaal do,*
*❖_ jab tak Huzoor Akram sallallahu alaihivasallam wali zindgi aur Aap wala tareeqa zindgiyo me nahi aata,, Allah ta’ala ko na hamare maal ki parwah he, na hamari jaan ki parwah he, na hamari Zaat ki, na hamari halakat aur barbadi ki parwah he,,*
*❖_ Allah ta’ala ki kisi se rishtedari nahi he,, Allah ta’ala ne ek hi zaat ko namuna bana kar bheja he k iske peechhe chal kar aao, iske namune me dhal kar aao, uski shaql bana kar aao, uska libaas pehn kar aao, uski seerat apna kar aao, uske mutabiq zindgi lekar aao to mere tak aa sakte ho, Varna hamara tumhara koi jod nahi,*
*❖_ Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ne apni zindgi ko Nabi kareem Sallallahu alaihivasallam ke tareeqo pe dhala, Allah ne wo rutba diya k HuZoore Akram sallallahu alaihivasallam ne farmaya k Bilal r.a. qayamat ke din mere aage azaan deta chalega,*
*Aur jab Mai'n jannat me dakhil ho'unga to Bilaal jannat me meri ou'ntni ki nakel ko pakad kar chalega,,,Subhan Allah,,*
*❖_ Allah ta’ala hume apne Habeeb ke tareeqo me dhaal de aur Aapke paakiza tareeqo se hamari zindgiyo ko noorani bana de, Aameen ya RabbAl aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 06))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Dawat Ka Kaam Khatme Nabuwat ki Pehchan he, ◐*
*❖_ Mere Bhaiyo'n ! Huzoor Akram sallallahu Alaihivasaalam ke bager ye saara naqsa wajood me nahi aa sakta, unka haq humare har haqq se badkar he,*
*→ khatme nabuwat ki line ke ahkaam saare ahkaam per chhaye hue hai'n,*
*❖_ Aap namaz padh rahe hai'n aur saa'np (snake) nikal aaye to namaz chhodkar saa'np ko marna padega,,*
*→ Dawat ka kaam khatme nabuwat ki pehchan he, humari namazo se islam nahi felega, humari masjido me to musalman hi nahi aate,*
*Raato ko tahajjud padhlo isse khatme nabuwat ka haq Ada nahi hoga,*
*halaal kamane, zakaat, khairat se khatme nabuwat ka pata nahi chalega,*
*❖_ Ye Allah ke kalme ko lekar sari duniya me firne se aur kalme wali zindgi lekar chalne se pata chalega k ye aakhri nabi ke ummati hai'n, Ye apne Nabi ka kalma duniya ko pahunchane nikle hai'n,,*
*❖_ Allah hume apne Nabi Sallallahu Alaihivasaalam ki sachhi pervi naseeb kare,, or nabi wali zindgi naseeb kare or is zindgi ko lekar poori duniya me firne wala banaye,, Aameen ya Rabbal Aalameen, ●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 07))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Tanaam Masail ka Hal, Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki Farmabardari me hai ◐*
*❖_ Mere DOSTO ! Aaj hum sabke paas koi na koi masla he, hum sab masa'ilo se ghire hue hai'n,*
*→mulk, country ka masla bhi he k mulk karzo me doobta ja raha he,, humari aqal kehti hai k karz utaaro mulk sa'nwaro,, kabhi karze utarne se bhi mulk sa'nwarte hai'n ?*
*❖_ mulk, desh, country sa'nwarte hai'n insaan ke sa'nwarne se, Allah ki farmabardari se, hazrat Muhammad sallallahu alaihivasallam wali zindgi se,*
*❖_ ye ho jaye to karze bhi utar jayenge, khushhali bhi hogi, aman Chain, sukoon bhi hoga, mohabbate bhi hogi, har haal me Allah ta’ala khush kar dega,*
*❖_ ye Daulat aane se nahi hoga, Daulat to aadmi ko ayyaash, nafarman bana deti he,,*
*⇨ Allah ne tamaam maslo ka hal apne Deen or apne Habeeb sallallahu Alaihivasallam ki zindgi me rakha he,*
*⇨Allah ne saaf kar diya, k rizq, izzat, roab, maaldari, vajahat, taaqat, ilm sab kuchh Allah de dega bas ek kaam karlo,*
*⇨Allah ki nafarmani chhod do,,*
*❖_ Allah hume apne Deen per istqamat de or hamare tamaam maslo ko hal farmaye,, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 08))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Zindgi Ka Mawsad ◐*
*❖_ Mere DOSTO ! Hamari paydaish ka maqsad aur hamara vajood sirf aur sirf Allah ta’ala ki bandgi, ita’at aur farmabardari he,→ lekin afsos k humne apne isi vajood ko Allah ta’ala ki marzi ke khilaf istemal kiya,,*
*❖_beshumar ahsanaat hai'n hum per Allah ta’ala ke, k hum ginna bhi chahe to nahi gin sakte ⇨ lekin Jo ahsaan kare, kya uske saath esa hi maamla kiya jata he?*
*❖_ Apne ghar ke kutte ( dog) se har insaan ko sabaq seekhna chahiye,→ hum usko maarte hai'n, wo fir bhi apna sar jhukata hai,, ghar ka koi bachcha ( child ) bhi usko maare, wo sar nahi uthayega,, bahar se agar koi 7 fit ka aadmi bhi aa jaye to us per jhapat padega, chahe uski jaan hi chali jaye →aur apne ghar ka bachcha use maar raha, uske uper betha hua hai, kuchh nahi kehta,, roti khate hue kutte ko bula'o, roti chhod kar aa jaata he,,*
*"_ think ! Socho !!*
*❖_ Azaan hoti hai, saare bethe hue hai'n,→Allah ta’ala bula raha hai,,*
*→aa jao, sar jhukalo, namaz padh lo, Mai'n tumhe bula raha hu'n, 5 waqt ke liye faarig ho ja'o,,*
*→me tumhe kaamyab karna chahta hu'n,,*
*_Kitne hai'n jinko namaz ki tofeeq hasil hai ? Kitne hai jinko sar jhukane ki tofeeq hasil hai ,?*
*❖_ Mere Dosto ! ek kutta to ek roti kha kar saari zindgi wafa karta hai,,→aur hum ashraful makhlook hokar, insaan hokar nafarman kyu ho gaye??*
*❖_ Allah hume apni ita'at wali zindgi naseeb kare or waqt pe namaz Ada karne ki tofeeq de, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 09))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Rizq Ke Asbaab - Imaan aur Taqwa ◐*
*❖_ Mere DOSTO ! Aaj insaan sabse zyada pareshan rizq, rozi, roti ke liye he, sabse bada masla maine aur aapne yahi samjha he,→Din raat kolu ke bell ki tarah chakkar laga rahe, na jaa’iz dekha na najaa’iz dekha,→na haraam ki parvah ki na hallal ki fikr, bas kese bhi aaye roti mil jaye,,*
*❖_ Magar Allah kya kehta hai, aur Allah ka habeeb kya kehta hai, zara gor kar le'n,*
*⇨ Allah ta’ala ka irshad hai - Ey shehar walo, ey mulk walo ! Imaan le aa'o aur taqwa akhtyar karlo, Mai'n Aasmaan ke darwazo se rizq khol dunga, zameen ki rag rag se rizq ke darwaze khol dunga, tum ye 2 kaam karlo, imaan le aa'o aur Taqwa akhtyar karlo,*
*→ esi jagah se rizq aayega kisi ko vahamo gumaan bhi nahi,*
*❖_ Ye Allah keh raha, ⇨Allah ke habeeb Sallallahu Alaihivasallam ne ek mazedar baat batayi,→Ek sahabi ne puchha, ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Mai'n chahta hu mera rizq bad jaye,*
*Farmaya, tu ba- vazu raha kar, Allah tera rizq bada dega,,→Kitna mushkil he? Kitna zor lagta he ba -vazu rehne me?*
*⇨ye khabar he habeebe mustufa ki,Kisi leader ya kisi commerce ya economics padhe ki nahi,,*
*❖_ Allah hume amal ki tofeeq ata kare,, aur Imaan, taqwa ata kare aur hamesha ba - vazu rehne ki tofeeq ata kare, Aameen ya Rabbul Aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 10))_*
❖══✰═══❖
*◐☞_Ilm ki inteha ◐*
*★_ Mere DOSTO ! Aaj Saari duniya apne ilm pe amal kar rahi he k paisa kama'o, bade maaldar ban ja'o, bade taajir ban ja'o, politics me aa ja'o, Sadaar ban ja'o, kahi ke Chairman ban ja'o,*
*★_ Saari duniya ka chakkar laga kar dekh le'n, ek ek insaan se poochh le'n, sab apni apni khwahisaat lekar chal rahe, usi ke mutabik amal kar rahe,*
*★_ye hamare ilm ki inteha he, jabki Hazrat Ali raziyallahu anhu kya farma rahe ? Hazrat Ali raziyallahu anhu ka ilm Huzoor sallallahu alaihivasallam ka ilm hai aur Huzoor sallallahu alaihivasallam ka ilm Allah ta’ala ka ilm hai,,*
*⇨Hazrat Ali raziyallahu anhu ka irshad jiska mafhoom hai:- Jo kehta hai mujhe izzat chahiye chahe koi khandani na ho, Mai'n maaldar banna chahta hu'n lekin paisa mere Paas koi nahi, Mai'n chahta hu'n, Badshaho per bhi mera roab qaa'im ho jaye aur Mai'n apne mahol, Qabile, shehar me apni vajaahat chahta hu'n,*
*→wo sirf ek kaam kare k Allah ki nafarmani chhod de, Allah ka farmabardar banda ban jaye to ye Saari cheeze uske qadmo me aa giregi,,,*
*☆_Allah ta’ala hume apna farmabardar banda banaye, or khwahisaat ki itteba se bachaye, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 11))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Apne Rab ki Tareef Karo, ◐*
*❖_Mere DOSTO ! kitne afsos ki baat hai K hum 5 minutes Allah ki badayi bayaan nahi kar sakte, kisi mard, aurat se poocho tera ghar kesa he, Teri gaadi kesi he, Tere kapde kese hai,Tera karobaar kesa he?Tere maa, baap, kese hai?Teri aoLad kesi he?*
*❖_Har ek ghanto bayaan karega aise hain, wese hain, aisa hai, wesa hai, lekin jab poochha jaye Allah kesa hai ? To pata nahi kesa hai ?Bas Allah ek he aur kya !!*
*❖_ Mere dosto ! Hum to aaye hi hai'n Allah ki tareef karne aur uski ibaadat karne, musalman mard, aurat ka to kaam hi poori duniya ko Allah ka ta’arruf karwana he, Allah ki manne par duniya ko tayyar karna he,*
*Aur afsos hume hi pata nahi hamara rab kesa he?*
*❖_ zameen aasman me ek hi to zaat he Jo qabiLe tareef he, Allah ne Qurane Kareem ko ” Alhamdulillah” se shuru kiya, saari tareefe Allah ke liye hai,,*
*→ samjhaya ye gaya he k Ey musalman mard aur aurto’n !ye he tumhara kaam k saari zindagi tum Allah ta’ala ki tareef karo, k humara Allah aisa hai, aisa hai, aisa hai,, Allahu Akbar…,*
*❖_Allah hume apni pehchan kara de aur is pehchan ko lekar poori duniya me firne wala banade, Aameen ya Rabbal aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 12))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Tableeg Farz He ◐*
*❖_Mere DOSTO ! Kal ek bhai ne ek comment kiya, Social Media Manoranjan Ke Liye hota hai, Deen ki baato ke liye nahi , yaha deen ki baat mat karo, “*
*❖_ Mere Dosto ! musalman to jaha'n jis shobe me bhi jayega apne Deen ko saath lekar jayega, Deen ke bager to khalis gumrahi hai, jahalat hai,,*
*❖_ Ek baat aur batata hun ,, Yaha'n log kya felana chahte hai'n ? sabko pata hona chahiye,,*
*→logo ne social sites ko khwahishat ke adde bana liye,,→jhoot Yaha'n fel raha, dhoka Yaha'n fel raha,, behayai Yaha'n fel rahi,, Imaan ke saude Yaha'n ho rahe,,shaytan ki itteba Yaha'n ki ja rahi,, Allah ke gair ko Yaha'n khuda tasleem kiya ja raha,→ huzoore Akram sallallahu alaihivasallam ki pervi se moonh moda ja raha,,*
*kya kya nahi ho raha he Yaha'n ?,,*
*❖_ Mere Dosto! jab Allah ki nafarmaniya khullam khulla hone lag jaye, huzoor sallallahu alaihivasallam ki sunnato ka khullam khulla mazaak udaya jaye to ” TABLEEG ”Farz ho jati he,,*
*→agar ye na ho poori ummat gunahgaar hogi,, fir wo hoga Jo Huzoor sallallahu alaihivasallam ka irshad he,,*
*→” fir surkh aandhiyo, zameen ke dha'ns Jane, zalzalo ka intezaar karo!! “*
*❖_ Kya hum iske liye tayyar he??*
*"_Allah shaitan ke shar se aur nafs ke dhoke se aur makkar duniya ke fitne se bachakar apne Deen ki hifazat ke liye hume qubool farmaye, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 13))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Duniya Ka Khulasa ◐*
*❖_ Mere DOSTO ! Allah ne duniya ka khulasa 5 cheezo me bayan kiya,,*
*→Duniya kheL hai, tamasha hai,fashion hai, fakhro ghuroor ka naara hai, or maal aulaad ki kasrat ke kisse hai,,*
*→Jisne apni poori zindgi inhi 5 cheeZo ko maqsad banaya hoga, kheLo koodo, maal or zameen ikattha karLo, apni manmani karLo, jesa man me aaya kamaLo, naqdi jama karLo, jesa man me aaya kharch karo, jesa man me aaya pehanLo, fakhr karlo, naare lagaLo,,*
*→,apni saari zindgi inhi cheeZo pe kharch kar di,, hay paisa,, hay zameen,, hay maal,,,*
*❖__ Ab sakraat ( maut ke waqt ) per jis waqt malakul maut haath lagayega, koi nazar nahi aayega,→ab khuda ki taraf chal raha he, yahi'n se Aakhirat Ki ManziLen shuru hoti hai'n,*
*❖_ sakraat me aasani he ya sakhti, Qabar jannat ka baagh he ya jahannam ka gadda, pulsiraat par bijli ki tarah paar hona he ya kat kat kar jahannam me girna, seedhe haath me aamaal nama ya ulte haath me, jannat ka faisla ya jahnnam ka faisla, huzoore paak sallallahu alaihivasallam ke haatho se jaame Qausar ya dhakke, sokan sokan. Door Hato .Door Hato,,*
*❖_,Jitne Masa'il hai'n maut par shuru honge, Isliye hazrat umar Raziyallahu anhu ka irshad he,, jese jiyoge wese maroge,, jese maroge wese hi kal Aakhirat me uthaye ja'oge,,*
*❖_ Agar zindgi ki buniyade siddiqi he, farooki he, toheed risalat wali he,khofe khuda wali he, to maut aisi aayegi jesi saleheen ko aayi, jis per khuda ke vaade hai,,*
*❖_Allah hume apne habeeb sallallahu alaihivasallam wali zindgi aur saleheen wali maut ataa kare,,Aameen ya Rabbal aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 14))_*
❖══✰═══❖
*◐☞_Allah aur Uske Habeeb Sallallahu Alaihivasallam Ke Rang me Rango _◐*
*❖_Mere DOSTO,! Humme se har aadmi munfa’al he, asar lene wala he, kisi se asar lekar hi zindgi guzregi,, insaan ki tabiyat asar pazeer he, insaan bahut zaldi doosre ki zindgi se mutassir hota he,*
*❖_Allah ta’ala farmata he kisi ka asar na lo, mere rang me rango,, mere Habeeb se asar lo, mere Habeeb ke rang me rango, Mohammadi banke raho,*
*→ apni zindgi me nazar aao k ye mohammadi he, apni pehchan kara'o k ye mohammadi he,*
*❖_ pehchan hoti he A'amaal se, akhlaaq se, zaahir se, baatin se, kirdaar se, har tor tareeqe se, k dekho ye mohammadi he,*
*❖_Allah ta’ala ne Huzoore Akram sallallahu alaihivasallam ki poori zindgi ko mehfooz kar diya, aapki ek ek ada ko mehfooz kar diya, warna agar aap ki zindgi mehfooz na hoti to hum itteba kese karte ??*
*❖_Allah hume apne aur apne habeeb sallallahu alaihivasallam ke rang me rangne aur poori poori itteba karne ki tofeek ataa kare, Aameen ya Rabbal aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 15))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Niyamato’n Per Shukr Karo,◐*
*❖_ Mere DOSTO ! Allah ta’ala ki beshumar niyamate hum par din raat barasti rehti hain jinme Ameer gareeb sab shareek hen, ,jinko shumar karna chaho to nahi kar sakte, ,⇨ lekin aaj amal he hisaab nahi, ek din aayega jab hisaab hoga amal nahi,,*
*❖_HuZoore paak sallallahu alaihivasallam ka farman he jiska mafhoom he k⇨ tumse tumhare rab ke samne thanda pani, makaano ka saya, pet bhar khana, jism ki sehat, meethi neend, wo kapde ka tukda jisse badan chhupaya_,*
*Ek hadees ka mafhoom he k sahaba raziyallahu anhum ne daryaft kiya, Ya Rasoolullah! Konsi niyamato me hum hai?Jo’n ki roti he wo bhi aadhi bhookh milti he, pet bhar nahi milti,*
*"_Allah ta’ala ne wahi bheji, k aap inse farmaye k, kya tum joota nahi pehante?, thanda pani nahi peete,? ye bhi to Allah ki niyamato me se he,,*
*⇨Qayamat ke din sabse pehle jin niyamato ka sawal hoga wo badan ki sehat aur thanda paani he,*
*❖_ Mere Dosto! sabse badi niyamat Allah ta’ala ki imaan he, aur hume iski koi parwah hi nahi,, jese doosri niyamato ki nashukri kar rahe wese hi imaan ke bhi hum nashukre hai,,na is imaan ko banane ki fikr, na bachane ki fikar,, hum aise imaan par mutma’in bethe hai Jo amal pe khada nahi kar sakta ,,*
*"_jab mehnat hogi imaan par to imaan badhega aur Allah ke hukmo ko poora karwayega, varna aur kamzor hota chala jayega mehnat na hone ki vajah se k gunaah karenge aur koi gam nahi hoga,,*
*❖_ Allah Hume niyamato ki shukr guzari ki tofeeq de aur apne imaan ko mazboot banane ki Mehnat me lagaye rakhe, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 16))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Aazmaish aur Unka Badal ◐*
*❖_ Allah ta’aala ki tarteeb hai muqarrabeen ko thokre lagti hain or Jo uske dushman hote hain unko khoob chadata hai or khoob khilata hai,, ye ajeeb baat hai,! Allah ta’aala ki aazmaish rozana kehti hai,*
*→ ya Allah! Aaj me kaha jaou’n ?To Allah ta’ala farmata he,*
*”_ mere dosto ke ghar chali ja, mujhse mohabbat karne walo k ghar chali ja, me unko parkhunga, unke sabr ko aazmaunga, unko gunaho se paak karunga, unke darjaat ko Ou'ncha karunga,,,*
*❖_ Jab YE is ummat ke liye hui, zarurate qurban hui, takleefe bhi sahi, chata'iyo pe bethe bethe zindgi guzar gayi, isi me mar gaye dafan hui or ye bechare bhi dil me kehte rahe hume mila kya?*
*→Jab ye qayamat ke din uthenge to Allah ta’ala us waqt kahega:-*
*”_ ye he tumhari Aazmaisho ka badla, us waqt me jin logo ne duniya me aman ki zindgi guzari hogi wo kahenge,*
*”_ haay !! Hamare jism ke tukde tukde ho jate or hume bhi ye mil jata Jo unko aaj diya ja raha he,,—“Jannat. aur. uski. Niyamate’n”*
*❖_ Allah Ta'ala Har imaan Wale ke Dil me Jannat Ka Shoq Paida Kar de'n, Aameen ya Rabbul Aalameen,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 17))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Allah ko Raazi Karo ◐*
*❖_Mere DOSTO ! is Kaynaat ka ek hi baadshah he, Yaha'n kisi ki saltnat nahi Allah ke Siva, Aaj musalmano pe Jo musibate aa rahi hai'n use koi nahi la raha, Allah la raha he,*
*❖_ Aaj batil ne science pe tarakki nahi ki, Allah ne tarakki karwayi he, Allah todna chahta to tod Sakta, girana chahta to gira deta, magar Allah ne dheel di hui he, halaat per bhi qabza he, chahe to logo me mohabbate paida kare ya nafrate,,*
*❖_ Nooh alaihissalam se Allah ne farmaya, kashti me joda joda daal lo, Arz kiya ya Allah! Ek taraf sher hoga doosri taraf bakri, bhed,, ek taraf billi hogi or doosri taraf kabutar,, aap hi bata de'n k inhe kese ikatthe bitha du'n,,*
*"_Allah ta’ala ne farmaya, Ey Nooh! inme nafrate kisne daali he ? Aapne kaha,” beshak aapne “*
*” to fir Mai'n hi inme mohabbat daal dunga,,*
*❖_Nabi paak Sallallahu alaihivasallam ke zamane me saa'np (snake ) aur bachche ( Children) ikatthe khelte they,,*
*⇨Umar bin Abdul Aziz r.a ke zamane me bhediya Aur bakri ek ghaa'nt me paani pite they, koi kisi ko nahi Maarta tha,*
*❖_ Allah ta’ala mohabbat daal deta he to jaanwar bhi taabe ho jaate hai,,yu'n Allah ta’ala aaj bhi mohabbate daalne per Qadir he,*
*❖_ Mere dosto,! Saare halaat Allah ke haath me hain, agar Allah halaat bana de to koi bigaad nahi sakta, bigaad de to koi bana nahi sakta,,*
*⇨us Allah ko raaZi karne ki zaroorat he, us Allah ko apna banane ki zaroorat he, us Allah ko pukarne ki zaroorat he, uski taraf dodne ki zaroorat he Jo saare kaam banane wala he,*
*❖_Allah mujhe bhi, aapko bhi Aur tamàam momino ko amal ki tofeeq ataa kare, Aameen ya Rabbal aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 18))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Hamari Aql Naaqis hai ◐*
*❖_Mere Dosto ! Aaj jab Deen ki baat kahi jati he, Allah ke hukmo ki, vaado ki, Huzoore paak sallallahu alaihivasallam ki khabro ki, jannat, jahannam ki, Qabr v hashar ki baat ki jati hai to hum apni aqal ke ghode dodane lagte hai'n k ye aqal me aane wali baate nahi hai !! Astagfirullah!*
*❖_Mere Dosto! , zara hum soche K Allah ne hume aqal di hi kitni he??Allah ne aqal ko banaya to uske 100 hisse kiye aur 99 hisse tane tanha apne habeeb sallallahu alaihivasallam ko diye aur sirf 1 hissa poori duniya ko taqseem kiya,⇨is 1 hisse me bade bade Ulama, sciencetist, philosopher Aur hum aap bhi shamil hai,,*
*❖_ Mere Dosto ! jaha'n humari aqal ki hadd khatm hoti he imaan ki hadd Waha'n se shuru hoti he,, isi ko aazmaya jata he,, Safare meraaj sahaba ke imaan ki aazmayish tha, jisne huzoor sallallahu alaihivasallam ki baat ko haqq tasleem kiya wo kaamyab ho gaye, aur jisne inkaar kiya wo islaam chhod kar nakaam ho gaye,,*
*❖_ Khandak ke moqe par ek badi chattan ko todte waqt Huzoore paak sallallahu alaihivasallam ne khabar di k Roam, Iran-Iraaq, Misr fateh hoga, to us waqt munafik ha'nste the, k pet par to patthar ba'ndhe hai'n aur iraan, roam, Jo us waqt ki sabse badi taaqat thi, ko fateh karne ki baat karte hai,,,,Lekin duniya ne dekha k Allah ke nabi Sallallahu alaihivasallam ki khabar sach hui,,,*
*❖_ Jisko Hazrat Qari tayyab Sahab DB ne khoob bayaan kiya,*
*→ ” Tum Nabi Sallallahu alaihivasallam ki AQAL ki baat karte ho ??Aur nabi ki sohbat ki barkaat se Sahaba radiyallahu anhum ko wo Aqal mili thi k agar unki Aqal ki zakaat nikaal kar taqseem ki jaye to Qayamat tak koi pagal paida nahi hoga,,*
*◇_Allah Hume Apne Habeeb Ki khabro ka sachha yaqeen naseeb farmaye, Aameen ya Rabbal Aalameen●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 19))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Halaat ka Daromadar Cheezo Per Nahi, ◐*
*❖_ Mere DOSTO !Halaat ka cheezo'n se koi talluq nahi he, na aisa kabhi hua he aur na kabhi hoga, Allah ta’ala ne bade bade naqshe walo ke naqshe tode hai'n, Jitne naqshe duniya me Aaj nazar aa rahe ye sare naqshe pichhli Qaumo me mojood the, Qur'an un sari Qaumo ki halakat ke waqiyaat se bhara he,*
*❖_Allah ke faise insaan ke jism se nikalne wale A'amalo par hote Hai'n, agar Allah ta’ala se apni raza ke faislt naaziL karwana chahe'n to hume Allah ta’ala ki raza wale A'amalo ko akhtyar karna padega,,*
*❖_Lekin aaj insaan apni Aankho'n par maal, daulat, asbaab ki patti baandh kar chaL raha he, apni mehnat asbaab par lagata chaLa jata he, Jo haal ko haal se badalna chahta he, wo aage badta hua Waha'n pahuch jata he k fir Lotne ka waqt nahi hota, jisko Allah ne Qur'ane Kareem me bayaan kiya,,*
*”_ k Jo apne A'amalo ko barbaad kar lete hai'n Allah ki Zaate A'ali ko na pehchanne ki vajah se, inki mehnat aur mushaqqat saari bekaar jati he,”*
*❖_ Mere dosto, ! har mehnat karne wala kamyab nahi he, wo kamyab he jiski mehnat Ambiya Alaihissalam ki Mehnat se mail khati ho,*
*"_ Aaj galat mehnato'n ki vajah se ek doosre ko maarne, nicha dikhane, kamzor karne par mehnat ho rahi he aur naara lagate hai'n k hum kaamyab hai'n !!*
*❖_ insaan agar khud ko banale to use hathyar ki zaroorat pesh aa jaye to Allah darakht ki tehni ko talwar bana de, jese junge Uhad me Abdullah bin jahash r.a ki tehni ko talwaar banaya,,*
*❖_Mere dosto ! jab apne aapko banaya jata he to Allah nizaame aalam ko musakhar kar deta hai,*
*◇Allah ta’ala hume apne aapko banane ki Mehnat me lagaye , Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 20))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Muhabbat Paida Karne Ka Raasta _◐*
*❖_ Mere Dosto ! Aaj Deen se, Allah aur uske Rasool sallallahu alaihivasallam se Muhabbat kam ho gayi he, muhabbat ka wo maiyaar nahi raha Jo beqarar ho kar amal pe khada kar de, ye hijrat ke bagair, dhakke khaye bagair, mashaqqat uthaye bagair paida nahi hota, muhabbat Ese nahi aati,,*
*❖_Mere Dosto, ! muhabbat karni he to Allah se karo, uske habeeb sallallahu alaihivasallam se karo, baqi rehne walo se Muhabbat karo magar Ese na karo k Allah aur uske Rasool se aage nikal jao,, maa'n, baap, bivi, aulad, rishtedar, maal, tijarat, zameen, in cheezo ne hume jakda hua he,, muhabbat fitri cheeZ he, aur aulad ki muhabbat buzdil bana deti he aur bakheel bana deti he,,*
*❖_ Aap sallallahu alaihivasallam Hasan aur Husain Raziyallahu Anhum se kitni mohabbat karte they aur Ayesha Raziyallahu Abha se kitni mohabbat karte they !!*
*⇨ Lekin farmati hai'n k jab muazzin azaan dete they to Aap sallallahu alaihivasallam hume Ese chhod dete they jese k hume pehchante hi nahi ho!!*
*❖_ Mere Dosto ! humari saari muhabbat fana hone wali cheezo pe lag rahi hai aur unki muhabbat humare deen per ghaalib aa chuki he,, iska ek hi hal he, waqt ba waqt inko chhod kar hijrat ki jaye, Apne ghar karobaar ko chhod kar Allah ke Raaste me Jaya jaye,*
*⇨ ye connection kata hua he Jo margubaat ko chhode bagair nahi judega, ye muhabbat ka raasta he, iske liye ye qurbani Zaroori he,,*
*❖_Allah tamaam jhooti muhabbat se hamari hifazat farmaye Aur apni aur apne habeeb ki mohabbat se hamare dilo ko roshan farmade, Aameen ya Rabbul Aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 21))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Haqeeqat Ke Saath Kalme ko Dil me Utaaro, ◐*
*❖ _ Ek gadhe ko sher ki khaL mil gayi, usne pehan li aur sochne laga Mai'n bhi sher ban gaya, jab wo basti me chala to logo ne itna bada sher dekha to sab dar kar bhag gaye,*
*→ ab gadha bahut khush hua k mere se sab dar gaye, ab Mai'n thodi garzdaar awaaz nikalunga to ye aur darenge,,*
*❖ _ apni haqeekat ko bhool gaya,, jab usne zor zor se awaaz nikali to bajaye dahaad marne ke ” dhechu dhechu” karne laga, basti wale sare nikal aaye ke ye to gadha he,, sabne dande uthakar uski pitayi shuru kar di,,*
*❖ _ Ek waqt tha jab musalman uthta tha to sari kaaynaat ke baatil Laraz jate they,, Aur apne gharo me thar thar kaa'npte they, ye wo waqt tha jab musalman ne kalma seekha hua tha, Aaj musalman ne kalma nahi seekha isliye duniya ki koi taaqat use Allah ke Yaha'n surkhru nahi kar saki,,*
*❖ _ Hum islaam wale zaroor hai'n, magar ye kalma abhi humne seekha nahi he, jab ye haqeekat ke saath dil me utar jayega Allah ta’ala wo daur fir se le aayega,,,*
*⊙ Dua karo Dosto! Allah ta’ala hume is kalme ki haqeekat ata karde aur isko seekhne ki mehnat me lagade, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 22))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Ek hi Raasta ◐*
*❖_ Tirmizi shareef me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki rivayat he jiska mafhoom ye he k, log hukumat ke maal ko na-jaa’iz tareeqe se khana shuru karde,, Amanat hadap kar jayenge,, zakaat ka inkaar kar jaynge, zakaat ko tax samjhenge,,, Deen Duniya ke liye haasil karenge,, log biviyo’n’ ke farmabardar ban ja’enge, aur maao’n ke nafarman ho jayenge,, dost ke saath achcha sulook karenge aur Baap ke saath bura sulook karenge,,*
*❖_QabiLe ka sardaar faasiq or na- farman hoga,, hukumat na ahaL insano ke haath me hogi,, ek doosre ko matlab ke liye salaam karenge, muhabbat ke liye nahi,,,*
*→ masjido me awaaze buland karenge, shor ghuL hoga,,,, naach gaane waliya’n mu’azzaz mohatram ho jayegi aur naach gaana Aam hoga,*
*→Jo ummat ka badtreen tabka he uska aizaaz ikraam kiya jayega,, sharabe pee jayegi,, aur mard reshmi libaas pehnne lagenge, sona pehnenge,, is ummat ke Aakhri log pehle logo ko bura bhala kahenge,,,,*
*❖_Ye na- farmaniya'n jab ummat me paida ho'ngi to ab kya hoga? Us waqt ummat intezar kare surkh aandhiyo ka, surkh hawao’n ka, zalzalo ka,, zameen me dha'ns Jane ka, aur soorato'n ke badal Jane ka, aasmaan se pattharo ke baras Jane ka, aur ouper niche azaabo'n ke tootne ka, girne ka, jese tasbeeh ke dhage tootne se daane girte hai,,,,*
*❖_ Mere DOSTO ! socho kya Aaj ye sab nahi ho raha,, fir kis cheez ka intezar he??*
*⇨ ek hi raasta he k hum khud bhi tauba kar le'n aur poori ummat se tauba karwaye,, iske bagair koi taaqat Allah ta’ala ke azaab se nahi bacha sakti,,*
*⊙_ Allah hamari hifazat farmaye, aur Hume toba karne aur tauba karwane ki mehnat me lagne ki tofeeq de,,Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 23))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Mazboot KaLma, Mazboot Imaan, Mazboot Islam, _◐*
*❖__Mere DOSTO ! Allah ta’ala ne jab bhi BaatiL ko toda, jab bhi BaatiL ko mitaya wo is kaLme ki mehnat se mitaya, aur kaLme waLo ki imaani taaqat se mitaya, jab ye kaLma apne ikhLaas ke saath, apni haqeekat ke saath vajood me aata hai to iske MuqabLe me kitna bhi bada BaatiL hota tha Allah ta’ala use todta chaLa jata tha,*
*❖__ Allah ta’ala irshaad farmate hai'n, "_ hum haqq ko BaatiL par phe'nkte hai'n to BaatiL ka namonishan tak mit jata he_,"*
*→ lekin ye us waqt hota hai jab ye imaan waLe, ye kaLme wale is kaLme ko seekh lete Hai'n aur kaLme ka namuna ban jate Hai'n aur kaLme ke mutabiq unki Zindgi dhaL jati hai,*
*❖__ Hazrat IYSA Alaihissalam ka ek basti par guzar hua, dekha sab barbaad hue pade hai'n, Hazrat Iysa Alaihissalam ne farmaya k in par Allah ke azaab ka koda barsa hai,,*
*⇨ Aaj ke BaatiL par Allah ke azaab ka koda kyu nahi baras raha?*
*→ isliye k Aaj mazboot islaam waLe, khare kalme wale duniya me nahi hai,,*
*❖__ jab jis waqt me, maazi me, mustakbiL me, haal me, jab bhi ye kaLme wale kaLme ki haqeekat ko seekh Le'n to Allah ke Azaab ka koda badi se badi taaqat par barsega,, chahe wo atomi taaqat ho ya talwaar ki taaqat ho, chahe hukumat ki taaqat ho,,*
*⊙_ Allah ta’ala hume is kaLme ki haqeekat naseeb farmaye, apne kamzor imaan ko qavi banane ki mehnat me lagaye,,Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 24))_*
❖══✰═══❖
*◐☞_Allah Ki Laanat ◐*
*❖_ Allah ta’ala ne Qurane paak me nabiyo ke qisse sunakar aur nabiyo ke waqyaat bata kar poori ummat ko, poori insaniyat ko ye bataya k Mai'n jab kisi ko pakadta hu'n to meri pakadne ki buniyad unke asbaab ki kami nahi hoti balke pakadne ki buniyad un sifaat ki kami hoti he, Jo meri rehmat ko kheechti he,*
*❖_jab tum mere bande bante ho to Mai'n raazi hota hu'n, aur jab Mai'n raazi hota hu'n to barkate utaarta hu'n, phir meri barkato ki koi inteha nahi rehti,*
*⇨ Aur jab tum mere nafarman bante ho to mera gussa vajood me aata he, aur jab gusse me aata hu'n to meri laanat barasti he aur meri laanat tumhari 7 pushto tak bhi chali jati he,*
*❖_ Ab konsi taaqat he Jo us Qaum ko bacha sakti he jis per Allah ki laanat pad rahi he aur ye laanat isliye pad rahi he k ye Allah k hukmo ke baaghi ho gaye, aur Allah ke nabi Sallallahu alaihivasallam ke noorani aur paakiza tareeqo ke baaghi ho gaye,*
*⇨ Allah ne jisko bhi halaak kiya, barbaad kiya, ye unki bad amali ki buniyad par kiya,,*
*⊙ Dua karo dosto Allah palak jhapakne ke barabar bhi shaitan aur nafs ke hawale na kare, hume maut tak apne hukmo par aur pyare nabi Sallallahu alaihivasallam wale tareeqo par chalaye rakhe, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 25))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Halaal Par Sabr Karo, ◐*
*❖_ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Rahmatullahi Alaihi apne ghar me tashreef laye to betiyaa'n kapda moonh par rakh kar baat karti hai'n , Jab poochha to khadima rone lagi , Ameerul Momineen kuchh khabar bhi hai ,teri betiyo'n ne Aaj kachchi piyaaz se roti khayi hai, Aapko badbu se nafrat hai isliye moonh ko kapde se dha'nke hue hai'n _,"*
*❖_ Hazrat Umar bin Abdul Azeez rone lage, kon chahta he uski aulad musibat me rahe.Teen Barre Aazam ka wali aur hukmran aur uski betiya'n kachche piyaaz se roti khaye ?‘ Hamare Yaha'n to mazdoor ke Bachche bhi piyaaz se roti nahi khate.*
*❖_ Farmaya- “meri betiyo’n !. Mai'n tumhe bade Lazeez khane khila sakta tha, lekin Mai'n jahannam ki aag ko bardast nahi kar sakta, Sabar karo ek din Allah achchha khilayega, faaqo pe Allah ka vaada hai k Allah paalte hai'n, Neki per Allah ka vaada hai k Allah paalte Hai'n_,*
*"⇨,haraam par Allah ka vaada nahi, us par to vaada ye he k zaleel v khwaar karunga, unki nasLe roti hai'n jo haraam kamayi aulad ke liye chhod ke marte hai'n, wo qabro me aulad ko rote Hai'n, Aulade duniya me roti hai'n ,*
*⊙_ Allah hume haraam aur halaal ki pehchan ata kare ,haraam se hifazat kare or halaal rizq ataa kare .Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 26))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Deen Haq Raaste Se Sikho, ◐*
*❖_ Deen ko seekhne ke Jo haqq raaste Hain, Un raasto ko chhod kar BaatiL raasto se aaj ummat deen seekhna chahti he,,*
*⇨ maslan log what’s app, Facebook se Deen seekhna Chahte hai'n ,, Facebook, What’s app ya aur koi Deeni Sites kese batayegi k qurbani kise kehte he? Mu’ashra kise kehte he? Ye cheeze tab madadgar hoti hai'n jab mu’ashra Qaayam hota hai,*
*❖_ Aaj jaanne wale beshumar hai'n, Amal wale kitne hai'n ? sab jaante hai'n namaz farz he, kitne Log paband hai'n Zara Socho ?Malumaat ka naam ilm nahi hai, ilm wo hai jo allah ki pehchan kara de, Amal per khada kar de,*
*❖_Mere dosto ! is tarah malumaat to bad sakti hai, zindgi me deen nahi aayega,, uske liye to wo Raasta , tareeqa akhtyar karna padega Jo sahaba kiram Raziyallahu Anhum Azmaien ne akhtyar kiya tha,, wo tariqa e mehnat ummat me Zinda karne ki zaroorat hai, Tablig isi ki Mehnat hai k ilm Seekho Haq Raaste Se,*
*❖_ Sahaba Kiraam ne huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki sohbat se deen seekha, Aaj Allah walo ki, Ambiya Ke waaris Ulma Kiraam, Buzurgane Deen ki Sohbat se Ummat Mehroom ho gayi aur Facebook, Whats app se Chipak gayi , Jaha'n Ek Anpad Jaahil bhi Apne Aapko Mufti Samajh kar Fatwa dene laga hua hai,*
*❖_ Allah walo ki Sohbat se Deen seekhne ki zarurat hai, Sahaba Kiraam ne Masjido me Deen ki majaLise Qayam ki,, K Aao betho thodi der Deen Sekho, Aaj masjido ko Aabaad karne ki zaroorat hai, Ek ma'shiyat chal rahi hai, ek zindgi chal rahi hai, poori dharti par koi ek basti Aisi bata do jisme huzoor Sallallahu Alaihivasallam wali poori zindgi aur poora deen Zinda ho ??*
*⇨Saare jahaan me fir lo Or bata do k fala ilaaqe me huzoor Sallallahu Alaihivasallam WaSallam ka 100 fisad tareeqa zinda hai, huzoor ki har sunnat zinda he,,,*
*⊙ Allah deen ko deen ke raaste se seekhne ki tofeeq ata farmaye, aur haqq aur baatil ki samajh ata farmaye, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 27))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Khatme Nabuwat Ka Mafhoom Samjho, ◐*
*❖_ Mere Dosto ! hum Ese Nabi ki ummat hai'n, jis Nabi ke baad koi Nabi nahi aayega aur humare zimme ye Nabi wala kaam laga he, is paigham ko duniya me aam karna humara kaam he, Allah ki taraf bulana, uski azmat, buzurgi ki taraf buLana, risalat ki taraf bulana, ye kaam batayega k ye log aakhri Nabi ke ummati hai'n, ye khatme nabuwat ka Amali ikraar he,*
*❖_ Hume Nabiyo ke intzaar ka hukm nahi mila, hume ye hukm mila he k is kalme ko lekar firte chale jao, agar ummat ye kaam chhod deti hai to ye khatme nabuwat ka Amali inkaar he, Amali inkaar se aadmi fasiq ho jata he, aitqadi inkaar se kaafir ho jata he,,*
*❖_Hum khud soche'n aur gaur kar le'n, idhar to hum kahe'n k ab Nabi koi nahi aayega, aur udhar hum kahe'n k ye kaam hamare zimme nahi,, bas namaz padho, halaal roti khao, Maa'n BAAP, Bivi Bachho ke huqooq ka khayal rakho bas itna karo kaafi he,,*
*⇨ Agar itna hi islaam hai to fir kya na’uzubillah Allah ne insaniyat pe zulm kiya Jo Nabuwat ka darwaza band kiya??*
*❖_ Allah hume sahi samajh ata kare or is kaam ki Qadardani Naseeb kare, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 28))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Yes We Are Muhammadi, ◐*
*❖_ Yes, we are Muhammadi ! Haa'n hum Muhammadi hai'n, humne Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki risalat ka iqraar kiya he, Humari pehchan ye hai k hum Allah ko raazi karne k liye Namaz ko Qaayam karte hai'n,*
*→zakaat Ada karte hai'n, chahe humari Aamdani ghate ya bade, kharcha poora ho ya na ho ush'ar nikaalte hai'n,*
*❖_ hum Rishwat nahi lete chahe humare bachho ke kapde achhe na ho, chahe humare bachhe bade schoolo me na pade, humare bivi bachhe humari qabro me nahi jayenge,*
*⇨hum interest par ,sood par karobaar nahi karte, sood lena aag ka khana hai,*
*⇨ hum milawat nahi karte, jhoot nahi bolte, hum bhook bardast kar sakte Hai'n magar haraam luqma na hum kha sakte Hai'n na apne ghar walo ko khila sakte Hai'n,*
*❖_ kisi behan beti per galat nazar nahi daalte, ye iblees ke teer Hai'n, hum buraYi se rokne wale hai'n, bhala'i Failane wale hai'n,*
*❖_ G Haa'n ! hum Muhammadi hai'n, hum apne NABI Sallallahu alaihivasallam ke nayab hai'n,,, hum hidayat ke liye aaye hai'n, humme humare nabi wale Akhlaaq hai'n, nabi wala mashra hai,*
*⇨ Qurane Kareem humara rehbar hai, Allah humara muhafiz hai,, Deen humara mukammal hai, hum is Deen Per Raazi Hai'n, Hum is Deen E Haqq ke daayi Hai'n,*
*❖_ Alhumdulillah,, We proud,,, Say with me “Alhumdulillah, “*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 29))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Imaan Ka Noor ◐*
*★_ Mere Azeez Dosto ! Is kalme par hum Jo thoda bahut amal kar rahe Hai'n ye toheed ki shakal hai, isme haqeeqat zinda karna maqsood hai, Agar haqeeqat zinda ho jaye to ye ALLAH ke deen ko zinda kar dega,*
*★Haqeeqat kise kehte Hai'n ? Sahi yaqeen ho, Amal me Nabi sallallahu Alaihivasallam wala tareeqa sahi ho, Allah wala dhyan sahi ho, niyat ikhlaas sahi ho,*
*⇨ ye cheeze jis Amal me ho'ngi, kaha jayega k ye Amal zinda hai, isko Dil me utaarne ke liye Dil ki roshni ki zaroorat hai, jab ye roshni Dil me utarti hai to Andar seena khul jata hai,*
*★_ Poochhna gaya iski nishani kya he? Aap sallallahu alaihivasallam ne farmaya, Duniya se be raghbati, jannat ka shok aur maut se pehle maut ki fikr,*
*"_Agar ye 3 cheeze nahi Hai'n to imaan hoga magar noor se khali hoga, Jese line hai, Balb bhi hai magar jalane wala koi nahi,,*
*★_ Ese hi imaan hai magar ise chamkane ki zaroorat hai, chamkane ke liye mehnat karni padegi, nafs ka mujahida hai, Apni tabiyat se ladna padta hai, fir ye imaan ka noor batayega Allah aur uske Nabi Sallallahu Alaihivasallam ke hukm, A'amal me kamyabi hai aur Allah ke haath me Aasmano aur Zameeno ke naqse Hai'n,*
*☆_ Allah Hume wo noor ata kare aur is noor ko haasil karne ke liye mehnat me lagaye rakhe, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 30))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Azmat Paida Karo ◐*
*❖_ Mere Dosto ! Allah ki azmat ko is dil me bethana he, Allah ki azmat jab aati he to fir nabi Sallallahu Alaihivasallam ki azmat bhi Dil me paida ho jati he,,*
*→ aur jab tak Allah aur uske rasool ki azmat Dil me nahi utarti us waqt tak Allah Aur uske rasool ki baat ko maana na mumkin he,,*
*❖_ sun le'nge, badi badi kitaabo me padh le'nge, jab tak hamare Dil Allah aur uske rasool ki mohabbat se bhar nahi jate, us waqt tak Amal per nahi aa sakte aur ek qadam bhi nahi utha sakte,*
*❖_ Qadam uthane ke liye imaan ki taaqat hoti he, Dil ki taaqat hoti he Jo insaan ko Allah aur uske rasool ki baat per ubharti he, Aur Dil ko is qabil banane ke liye mehnat to karna hi padega,,,*
*❖_ Natija Allah ke haath he, hume Allah ne mehnat ka mukallif banaya he,, Bas Mehnat Karte Chale Jao baqi Allah per Chhod do, Jab Mehnat Sahi aur ikhlas ke saath hogi Allah Uske Nata'ij bhi behtar Zaahir karenge, Allah hume Imaan, A'amal ki mehnat me maut tak lagaye rakhe,,Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 31))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Allah Ke Gair Ka Yaqeen Nikalo ◐*
*❖_ Mere Dosto! KaLme ki haqeeqat ko dil me utaarne ke liye mehnat aur Mashaqqat karni padegi,,⇨ humne to Maa'n ki god me seekha k beta kamayega to khayega, nahi kamayega to kaha'n se khayega,,*
*❖_ Jab SCHOOL gaye to teacher ne padaya, aLif se anaar, Ba se bakri,, pehle din hi Allah k bajaye Roti kapde ka taarruf karaya gaya, beta tera kaam Roti kamana aur khana he,,*
*⇨"_ jab bade hue to zameen, suraj, chand, hawa se ye hota he, Genhu Ese Ugta hai, Chawal Ese ugta hai,, sab Allah ka gair padhaya gaya,,*
*"⇨jab aur bade hue to itna kamaya, itna ho gaya, faLa k paas itna paisa, itni gaadiya'n, itne Makaan, itne Plot itni Zameen,*
*❖_ Allah ka gair Dilo ke Andar jam raha hai aur Allah se taalluq toota hua hai,, Maadde ka ro'ab, Paise Ka Yaqeen Dil or dimag par Esa Chhaya hua hai k Allah ki Rubibiyat ka nizaam hi Zahan se nikal gaya, Allah ki Qudrat, Wahadaniyat, sifate rahmat, sifte ataa, zahno se mit gayi,,*
*❖_ Allah hume samajhade, aur kaLme ki haqeekat humare dilo me utaarde, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 32))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Apne Haal ki Fikr Karo, ◐*
*❖_ Sahaba Raziyallahu Anhum ajmaien ke daur me Sahaba Ki poori saff zameen pe giri padi thi, Namaz ke baad jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ne salam fera to Ashaabe suffa zameen par gire hue the, bhookh aur kamzori ki vajah se khade hi nahi ho sakte the,,*
*❖_ Halanke itne taaqatvar they k 5-6 sair ka Loha uthakar sara din Ladte they,, 8 sair ka Loha pehne hue hote they,, 6 sair ki talwaar hoti thi,, lekin kaLme ko buLand karne me Jo masa’ib aaye un per sabar kiya,, har line ki qurbaniya sahaba ne di,, Yaha'n tak k apni jaan ka nazrana bhi pesh kar diya,,*
*❖_ In par itni bhook aayi k sab ke sab namaz me gir gaye,, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne dekha k sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum gire pade hai'n to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,,*
*⇨agar tum ko pata hota k Allah ne tumhare liye jannat me kya taiyaar kiya hua hai to tum kehte k hum par or zyada musibat aani chahiye thi,, ye Allah ka nizaam he,,*
*❖_ Mere Dosto ! Aaj hum Apne Halaat pe gor kar le'n,,, Allah ta’ala ka diya sab kuchh hone ke bavjood apne Deen o imaan ki koi parvaah nahi,, Hukm toot rahe, Fara’iz chhoot rahe, Sunnato ka mazaq banaya ja raha, Akhlaq se hum past ho gaye, Mamlaat hamare bigad gaye, Ma'shrat Saari tooti padi hai,,, Allah hifazat kare, Fikr karo Dosto ! Apne imaan v amaal ki,*
*❖_ Allah hume samajh ata farmaye,,Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 33))_*
❖══✰═══❖
*◐☞_Hijrat Aala Amal He ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam aur Aap ke jaa'nisaar Sahaba Raziyallahu Anhum Ajmaien ne is kalme ko buland karne ke liye aur is deen ki hifazat k liye kis tarah apne Pyare watano ko chhoda, halanke watan ka chhodna insaan ke liye bada mushkil kaam hai aur unhone watan bhi is tarah chhoda k fir maut tak apne watan ko vapas na gaye _,*
*❖_ Aur ye watan chhodna kis tarah unko Duniya aur Duniya ki tamaam daulat se zyada Mehboob tha aur Deen ko kis tarah Duniya per muqaddam kiya, Aur na Duniya ke zaaya hone ki parvaah ki aur na uske fana hone par tavajjoh di,*
*❖_ Aur wo kis tarah Apne Deen ko fitno se bachane k liye ek ilaaqe se doosre ilaaqe ki taraf bhage firte they, iski nazeer milna namumkin hai, Unki haalat esi thi k goya k wo Aakhirat k liye hi paida kiye gaye they aur wo sirf aur sirf Aakhirat hi ki fikar karne wale they, Chunache iske nateeje me esa nazar aata tha k Duniya sirf unhi k liye paida ki gayi thi,*
*® Hayatussahaba 1/547*
*☆_ Allah Hume tamam fitno se mehfooz rakhe or Deen ki mehnat me lagaye rakhe, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 34))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Akhirat Ki izzat Ki Fikr Karo Duniya Ki Nahi ◐*
*❖_Mere Dosto ! Duniya ki izzat aur Raahat v Araam ki kya haisiyat hai Zara hum Aap is Hadees ( Hayatussahaba Jild 1/510 ) Per gor kar ke dekhe'n , Hazrat Ibne Zuber Raziyallahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba me se the,,wo farmate hai'n k ek din Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko sakht bhook lagi, HuZoor Sallallahu Alaihivasallam. ne ek patthar uthakar Apne pet par baa'ndh liya,*
*❖_ fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, gor se suno! – Bahut se log duniya me khoob khana kha rahe hai'n aur achhi Zindgi ghuzar rahe hai'n lekin ye log qayamat ke din bhooke aur nange honge,*
*⇨ Gor se suno ! bahut se log (duniya me apni khwahisho pe chalkar zaahir me) apna ikraam kar rahe Hai'n, lekin haqeeqat me wo apni toheen kar rahe Hai'n ( k qayamat ke din woh ruswa aur zaleel honge),*
*⇨Gor se suno ! bahut se log ( duniya me Allah ke hukmo pe chalke zaahir me) apni toheen kar rahe Hai'n, lekin haqeeqat me wo apna ikraam kar rahe Hai'n (k qayamat ke din unko Raahat aur izzat milegi )*
*❖__ Zara ab hum Apne haal par bhi gor kar le'n k hum kis category me aate hai,,,? Allah hum Sabko Qayamat ki ruswayi se bachakar usdin ki izzat naseeb farmaye,,Aameen ya Rabbul Aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 35))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Har Haal me Deen Ki Mehnat Karo ◐*
*❖_ Hayatus Sahaba ( 1/534) Se ek Hadees naqal karta hu'n, Hazrat Anas raziyallahu Anhu farmate hai'n, k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, ⇨Allah ( Ke Deen ) ki khatir Jo takleef mujhe pahunchayi gayi, aur jitna mujhe Allah ( Ke Deen ki mehnat ) ki vajah se daraya gaya, utna kisi ko nahi daraya gaya_,*
*⇨ Aur mujh per 30 din aur 30 raate barabar Esi guzri hai'n k mere or Bilaal ( Raziyallahu Anhu ) k paas kisi jaandaar k khane ke qaabiL sirf itni cheez hoti Jo Bilal ( r.a ). ki bagaL ke neeche Aa jaye, (yani bahut thodi mikdar me hoti thi)*
*❖_ Dosto ! Aaj hum 3-3 waqt bhar pet khate hai'n phir bhi hume na to Allah k hukmo ki parvaah hai aur na hi Deen ki Mehnat ki koi fikr hai, sunnato ka to hum rozana mazak uda rahe Hai'n,, Allah humari hifazat farmaye, Deen Ki Mehnat ko zimmedari samajh kar Deen ka kaam khuloos se karne ki tofeeq ata farmaye, Aameen ya Rabbul Aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 36))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Kalme Ki Rat Lagana ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Quran Paak me ek hi baat ko baar baar Bayan kiya, ek baat ka'i ka'i Siparo me chalti hai, Ye samjhane ke liye k hamare mizaaj me bhool Jana shamil hai, Hum bhool jate hai'n Hume paida kyun kiya gaya, hamara Duniya me aane ka Maqsad kya hai ?*
*❖_ Isi tarah Tablig me 6 number ki rat laga'o, Kalme ki rat laga'o, namaz ki rat laga'o, ….kyu? Kyunki ye usool hai Jo cheez Apne andar paida karni ho usko baar baar kehte raho, Baar Baar bolo, itna bolo k Dil me utar jaye,*
*❖_ Yahi to Fark he ek Daa'yi me aur ek Khateeb me ! Khateeb ek mazmoon ko doosri baar dohrana apni kam ilmi samajhta hai, lekin Daa'yi ek mazmoon ko laakho dafa dohrata hai to bhi nahi thakta, usse puchho to sidha sa jawab milega k ye baat mujhe Apne Andar paida karni hai _,*
*❖_ Ek jagah Safar me gaya, Fajar ke baad Taleem me ek nayi kitaab padhi gayi, Jab Taleem khatm Hui to Mene imaam sahab se kaha ” Kya Faza'il e Amaal ” nahi he aapke Yaha'n?, unke Jawab dene se pehle ek buzurg bol pade, ” 40 saal ho gaye Sunte sunte kaha'n tak sune, ko'i nayi baat honi chahiye, “*
*⇨Mene kaha Qur'an Paak kitne saal se padh rahe ho? Kya ye kaha jayega k ab ko'i nayi kitaab honi chahiye nauzubillah,? 40 saal me 1 hadees par bhi amal nahi hua to Kya padha gaya aur kya suna gaya,*
*❖_Jab Daa'iyana mizaaj banta hai Allah khud ki Fikr bhi paida karta hai k Mujhe apne andar utaarna hsi, mujhe apne andar paida karna hai, Allah apni fikro ke saath, Amal ki niyat se Deen ki mehnat me lagaye rakhe, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 37))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Khatme Nabuwat Ke Haamil ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Allah Ta'ala Ke Aakhri Rasool he’n, is buniyad par hamare zimme kya lagta he,? Aakhir hamare paas khatme Nabuwat ki pehchan kya he?*
*❖_Ikraare Risalat ki pehchan to Namaz, Roza, Zakat, Hajj, Walden ke huqooq aur sare awamir Hai'n, lekin aqeeda khatme Nabuwat ki pehchan kya he? Khatme Nabuwat ke haamil logo ki Alamat kya he? Jise dekhte hi pata chal jaye k ye khatme Nabuwat ke Aqeede wale log he’n, Kaash hum isko samajh le,!*
*❖_Mere Dosto! Dawat Tablig Allah ki taraf bulana, uski buzurgi ko bayan karna, Risalat ki taraf bulana, aur apne Dil se apna jaan maal is par lagana, makhlooq se kuchh na chahna, Ye kaam he Jo batayega k ye log Aakhri Nabi ke Ummati Hai'n, Tablig ka kaam khatme Nabuwat ki pehchan he, Agar hum is kaam ko chhodte hai'n to ye khatme Nabuwat ka Amali inkaar he, hum Khud soche !*
*❖_Allah Sahi samajh ke Saath Apni Zimmedari ko pura karne ki tofeeq de, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 38))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Dawat Ummul Aamal He ◐*
*❖_ Mere Dosto.!Tarteeb ye hai ke Aala par Adna ko qurban kiya jata he, Aala ko Adna par qurban nahi kiya jata, haiwanat insaan par qurban hote he’n, to ye insaan bhi to kisi par Qurban ho ?*
*❖_Namaz ka waqt he Quran ki tilawat Namaz par Qurban hogi, Quran padhoge to Jama’at chhoot jayegi, Ab koi kahe bhai Namaz padhlo, kehta he hume ilm se rokte ho, Zikr se rokte ho, To Bhai Namaz khadi ho gayi to Namaz A'ala amal he, Adna ko A'ala par Qurban Karo,*
*❖_Allah ki taraf bulana ye Sabse A'ala Amal he, itna A'ala k ye kaam sirf Nabiyo ko diya, Allah ne Karam, Fazal farmaya Jo ye kaam Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke vaaste se poori ummat ko diya gaya, Agar ye Amr na ho to Namaz qaayam nahi hogi, Roza vajood me nahi aayega, Zakaat, Hajj vajood me nahi aayenge, Dawat sabse pehli buniyad he Jis par saara Deen khada he,*
*❖_Dawat ke Safar me Roza aftaar kiya gaya, Namaz 4 raka’at ki 2 raka’at hui, 2 raka’at Salatul khof utri, Fuqha kehte hai'n Seena phir jaye to NamaZ toot jati he, Salatul khof seena hi nahi Poore Aadmi fire ja rahe he, aana Jana bhi ho raha he, Namaz bhi ho rahi he, Allahu Akbar ! Namaz ki shakl badal gayi Dawat ke safar me,*
*❖_ Dawat ko sabse Uo'ncha rakha, Ye Maa’n he, isse A'amaal zinda hote he’n, agar Dawat ki Mehnat nahi hogi to Deen zinda nahi ho sakta, Allah Hume Dawat ki qadrdani Naseeb kare, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 39))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Tablig Risalat KA Haq He ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Khatme Nabuwat KA hum par Haqq kya he ? Risalat KA hum par Haqq kya he ?Zara sochiye !!*
*❖_ Allah ke Deen ko phelana hamare Oupar Risalat KA Haqq he, khatme nabuwat KA Haq he , Jab hum maan chuke k Ab koi Nabi nahi aayega to is Deen ko aage pahunchana hamari zimmedari he, Tablig hamari zimmedari he ,_Agar hum Duniya ke insano tak Kalma pahunchane ko APNA kaam nahi samajhte, Apni zimmedari nahi samajhte to Aap hi bataiye kon pahunchayega ?*
*❖_Humne Bivi bachcho KA Haqq ada kiya, Maa Baap KA Haqq ada kiya, lekin Risalat KA Haqq, khatme nabuwat KA Haqq ada nahi kiya, Bivi bachcho ka, Maa Baap KA Haqq beshak bahut he lekin Huzur Sallallahu alaihivasallam ke Haqq se badkar nahi, Allah farma raha he k Mere Nabi Sallallahu Alaihivasallam ka Haqq Teri jaan se zyada he ,*
*❖_ Allah hume Apne Haqq ke saath saath Apne Habeeb KA Haqq ada karne ki Tofeeq ata kare, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 49))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Tablig Waqt ka Taqaza He ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Ye Ummat Shuru se hi qurbaniya deti chali aayi he, aur isiliye ye Ummat Allah ko Mehboob he, Is ummat ke Ulama ko Allah ne Nabiyo wala muqam diya, is ummat ke Aam musalman ko bhi Allah ne Nabiyo wala kaam diya aur Nabiyo wala noor diya he, isiliye hum kehte he k is Kalme ko lekar saari duniya me phirna ye khatme Nabuwat ka Haqq he,*
*❖ Imaniyaat ko dekhe to Allah paak ki Wahdaniyat kesi miti padi he, Risalat ko dekhe to Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke Tareeqo ka kesa mazaq udaya jata he, Ibadaat ko le lo to Masjide khali, Ramzan aaya aur chala gaya,*
*❖ Maamlaat ke ye haal he k Musalman se koi khareed farokht karne se darta he, Jhoot, Dhoka aur haraam par karobar chal rahe, Maa Baap sisak sisak kar zindgi guzaar rahe, AuLado ki galat tarbiyat ho rahi he, Gharz ye k Poora Deen mitaya ja raha he,*
*❖ Is waqt ka taqaza ye he ke sab kuch is par lagaya jaye, lekin Himmat nahi, istedaad nahi hamare andar, Isliye kaha jata he 4 mahine lagakar apne andar istedaad paida kiya jaye, phir roya jaye is Ummat ke halaat per, Allah iski tofeeq de, Aameen ya Rabbul Aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 41))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Deen ki Mehnat ka ‘ina’am ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Jo Amr bil ‘ma’roof nahi Anil munkar ( Bhalai ka hukm karna aur Buraa'i se Rokne) ko apna kaam banata he, Jannat ki hooro se iski shadi hogi, ek kahegi, Tujhe pata he Allah ne tere saath meri Shadi kyu ki? Kahega, mujhe kuchh pata nahi,*
*Kahegi Tune ‘Fala’n Aadmi ko achchhi baat kahi thi, uske badle me Allah ne Tere saath mera Nikaah kiya,*
*❖_Jo mehnat karte ‘he’n Allah unko ‘A’ala darja ata farmate ‘he’n, Kal wo Nabiyo ke saath honge, ‘Nai’em ki zindgi hogi, Hamesha ki zindgi hogi,*
*Esi jannat hogi jisme Khuddam Sawariya'n layenge, Esi hoore jo Resham pehne hue Sar per Taaj sazaye hue Ese naaz o Andaz se chalti ho'ngi k unko dekhta chala jaye to Zindgi guzar jaye, wo unke saath bethengi aur uper Parinde Chahchaha rahe ho'nge aur Allah ki Rahmat mutavajjah ho rahi hogi,*
*❖_ Allah esi Jannat aur Uski niyamato ka shok ata farmaye, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 42))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ Hisaab Se Pehle Hisaab Karna Seekho ◐*
*❖_ Mere Dosto ! Barf Ka Kaam Pighalna hota hai, isi Tarah Umr ka Kaam dhalna hai, Barf Pani Ban kar Khatm ho gayi, Zindgi bhi Mitti ka dher ho jayegi, Mitti ka Dher har Aadmi hai, Paida'ish Se Maut Ke beech Ka Waqt Allah Ta'ala ne Mohlat ke Tor per diya aur isi Mohlat ko humne Zindgi ka Naam diya,*
*❖_ Agar is Mohlat ko ganimat Jana hota to insaan na to Guzre waqt Ka Jasn manata aur na hi Aane Wale Waqt ki Khushiya'n, Aqalmand Apne Guzre waqt Ka muhasba Karta hai aur Apni Galtiyo ko talash kar ke Aane Wale Kal me usko Sudharne ki Fikr karta hai, Bade Afsos ke saath ye baat likhni pad rahi hai k Musalman bhi Gairo ki chaal chalne laga aur is Mohlat ko ganimat jaanne Ke bajaye isse itna gaafil ho gaya k Apne kiye per Sharminda hone ke bajaye Apne Gunaah ke khud Charche bhi kar raha aur Usko Aam karne ki koshish bhi kar raha aur Apne Saath doosro ko mulavvis karne ke moqe bhi talash raha,*
*❖_ Chaliye maan lete Hai'n Aapke liye Naya Saal Aaya hai aur Aap iska istaqbal kar rahe Hai'n aur khush Aamdeed keh rahe Hai'n aur Sabko iske aane ki Mubarak baad bhi de rahe Hai'n aur Apne is Fayl ko Aap khayr ka kaam bhi Keh rahe Hai'n,*
*❖_ Lekin mere Dosto ! Kya Kabhi Socha k Aapka ye Amal kiski Pervi me kiya gaya, Us Qaum Ki pervi Jisko Peshab Pakhana Karna bhi nahi aata, Hum to Ese Shafeeq aur Meharbaan Nabi Ki Ummat hai Jisne Subeh se Shaam tak ka Mubarak Tareeqa, Paida'ish se Maut Tak ke Ek Ek Lamhe Ka Amal bata diya aur Allah ne Us Tareeqe ko, Us Amal ko ibaadat Qaraar diya, Ab kya Zarurat hai Momin Bande ko kisi gair Qaum ki itteba ki, Aakhirat ke Hisaab se Pehle Apna Hisaab Kar lo Dosto, Hamare Pyare Nabi ﷺ ne Farma diya k Jo Jis Qaum ki itteba karega Kal Qayamat me Unhi me Shumaar kiya jayega _,*
*❖_ Allah hume Sahi Samajh Ata kare, Gairo Ki itteba se bachaye aur Apne Habeeb Ke Tareeqo ki muhabbat Dilo me utaar de aur Apne Waqt ka Muhasba karne Ki Tofeeq de, Aameen ya Rabbul Aalameen_,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 43))_*
❖══✰═══❖
*◐☞_Baatil Dawat se Toota He ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Ek baat apne zahan me rakhLo, Allah ta’ala us waqt tak dheeL dete ‘he’n, Jab tak Dawat dene waLa koi paida nahi hota, Jab Dawat dene wala paida ho jata he to Dheel ka zamana mukhtasar ho jata he, Yaha'n tak k Dheel ka zamana khatm ho jata he, Phir Ya to Allah ta’ala Hidayat dete ‘he’n ya Halaak Farma dete ‘he’n,*
*❖_ Qaume Nooh, Qaume Hood, Qaume Loot, Qaume Samood sabko apne apne naqsho me halaak kiya, Namrood ko langde Machchhar ke zariye halaak kiya, Fir'on ko Pani me Duba diya, Har Zamane me Jab Dawat dene wala paida hua, Har Nabi ke zamane me Allah ta’ala ne Kalme walo se Baatil ko toda he,*
*❖_ Allah Dawat ki Qadr dani Naseeb farmaye aur Haq Baatil ki samajh ata kare, Dawat ke Kaam ko lekar chalne wala Banaye, Aameen ya Rabbul Aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 44))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _AaLami Nabuvvat ◐*
*❖_ Mere Dosto.! Deen E islaam KaamiL Nabi ka kaamiL Deen he, Ab koi doosra Deen Allah ke Yaha'n qabiLe qubooL nahi, Jo isLaam ke aLawa kisi aur Deen ko akhtyar karega Allah ke Yaha'n uska Deen qubooL nahi kiya jayega,*
*❖_ Is Deen E islaam ko kisi ke Sahare ki koi Zarurat nahi he, Ye apni zaat ke saath vajood me aata he, Jab KaLme waLe KaLme par qurbani dete ‘he’n aur KaLma DiL me utarta he, DiL me KaLma uske andar utarta he jo Jaan, MaaL, waqt ko Qurban karta he, itna KaamiL Deen, itni KaamiL Nabuvvat,*
*❖_Jab Saare Aalam par Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Nabuvvat vajood me aayi, Saare zamane ke But gir gaye, Saare AaLam ke Badshah goo'nge ho gaye. 360 But ( statue) Baitullah ke tootte chaLe gaye, Lekin aaj har Musalman apne DiL me But ( statue) banaye betha he, Aaj hamare DiLo Dimaag me Dukaan ka But betha he, Mere ye BoL k meri Dukaan ke bager mera koi kaam nahi chalta, Ye bhi But he jo DiL ke andar betha he, Nokri ka But k Nokri ke bager mera guzaara nahi hota, Tijarat ka But, Hukumat ka But, ‘Zara’at ka But, Paise Ka But,*
*❖_ Mere Dosto ! Agar ye kaLma DiL me utar gaya to Allah in sabke bager kaam karke dikha dega, Allah ta’ala DiLo ki Gehrayi me is KaLme ko apni haqeeqat ke saath utaar de, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*_((Part No 45))_*
❖══✰═══❖
*◐☞ _Quran Ka Namoona Bano ,◐*
*❖_ Mere Dosto.! Quran ki ek ek Aayat saari Duniya ki Tamaam taqato par bhari he, lekin koi usko apne andar me to Leta, Sirf zubani Bol nahi, Dil ki gehrayi me lekar dekho, iski taqat ka andaz ho jayega,*
*❖_ Imaan yaqeen ki Ayaat Dil me ho, Gor fikr ki Ayaat Dimaag me ho, Hayaa Paak damani ki Ayaat aankho me ho, Kaano ki Ayaat kaano me ho, Sharm haya ki Aayaat Aurat ke andar ho, Haatho ki Ayaat Amali tor par haatho me ho,*
*"_Aazizi tawaazo ki Ayaat Amali tor par paa'nvo me ho, Maamlaat aur tijarat ki Ayaat bazaro me ho, Hamare Gharo se Duniyavi Fahshi, Behuda Gaano ki Jagah Quran ki tilawat ki awaaze nikle,*
*❖_ Utho hamari Qom ke Nojawano, aur Hamari. Qom ke buzurgo, Tum sab Chalte firte Quran ban Jao, Quran ka Namoona ban jao, Allah tofeeq de, Aameen ya Rabbul aalameen,●*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel_,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 Group Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ *🌼 Taalib e Dua 🌼*
*✰_Haqq Ka Daayi Group_✰* http://www.haqqkadaayi.com
*Telegram*_ https://t.me/haqqKaDaayi ╚═════════════┅┄ ✭✭
*💕ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd 💕,*
╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛
⚀
0 Comments