Guldasta E Magfirat-1 to 100


┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 01☆★
❄ 1- Shirk v Kufr aur Bugz v Hasad se Bachiye, Aapke Gunah Maaf ❄


⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” har peer aur jumeraat ko amaal pesh kiye jate hai’n fir har us momin ki magfirat kar di jati he
Jo Allah ke saath kisi ko shareek na karta ho, magar wo shakhs k uske darmiyan aur uske bhai ke darmiyan bugz, dushmani aur keena ho,
Haq ta’aala Shanhu farishto se irshad farmate hai’n in dono ko chhode rakho yaha’n tak k ye’n aapas me sulah kar le’n, ”
( yani inki magfirat ko sulah per mokoof rakho )
    Ravaah Muslim,
Next – 2 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -02 ☆★
❄ 2-Shabaan ki 15 vi raat me Shirk karne wale aur Bugz v Adawat rakhne wale ke Siva sabke Gunaah Maaf ❄
⇨Hazrat Muaaz bin Jabal Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Haq ta’aala Shanhu Shabaan ki 15 vi raat ko apni makhlooq ki taraf tavajjah farmate hai’n, aur apni tamaam makhlooq ki magfirat farma dete hai’n sivae Mushrik ke aur Bugz v Adawat rakhne wale ke, ”
    Kanzul Ummaal, 3/467
Next -3 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 03☆★
❄ 3- Jo Shirk, Jaadu aur Keena se bacha uske Gunaah maaf ❄
⇨Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Teen khaslate esi hai’n jinme se koi ek bhi kisi me na ho to Allah ta’aala unke alawa ki magfirat farma dete hai’n jiske liye chahe,
1-Jo is haal me mare k Allah ta’aala ke saath kisi ko shareek na thehrata ho,
2- Jadugar na ho k jaadugaro ke pichhe firta rahe,
3- Aur apne bhai se keena na rakhta ho, ”
    Kanzul Ummaal, 5/840
Next – 4, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -04☆★
❄ 4-Aalim Ba-amal baniye Gunaah maaf ❄
⇨ Qayamat ke din Allah ta’aala farmaenge,
” A  Ulema ki jama’at!
Mene tumhare seeno me sirf isliye ilm rakha tha k tumhare zariey se apni pehchan karau’n,
Utho beshak me tumko maaf kar chuka hu’n,”
    Kanzul Ummaal, 10/173
Next -5 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -05 ☆★
❄ 5- Jo ilme Deen ki Talab me Lag gaya uske Gunaah maaf❄
⇨ Hazrat Sakheerah Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Jo ilm ki talab me lag gaya uske guzishta Gunaho ki magfirat ho jaa’egi, ”
    Tirmizi, 2/9
Next – 6, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -06☆★
❄ 6- Jo Talab e ilm ke Liye nikla Uske Gunaah Maaf❄
⇨ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis Bande ne Joota pehna ya charmi Moza pehna ya koi Libaas pehna ilm ki Talab me To Allah ta’aala uske Gunaaho ki magfirat farma dete hai’n hattaki wo apne ghar ki dehleez per pahunche, ”
    Tabrani, 1/105
Next -7 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 07☆★
❄ 7- Talibe ilm ke Ahatraam me Farishte Parvaaz rokkar khade ho Jate he’n aur Aalime Deen ke liye Tamaam Makhlooq Magfirat ki Dua karti he ❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu kehte hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna,
” Jo sakhsh ilm hasil karne ke liye kisi raaste per chale to uski vajah se Allah ta’aala uske liye jannat ka raasta asaan farma denge,
Aur uske is amal se khush hokar farishte Talibe ilm ke liye apne paro ko rakh dete hai’n ( yani parvaaz rok kar khade ho jate hai’n),
Aur Aalim ke liye aasmano ki tamaam makhlooq aur zameen ki tamaam makhlooq Dua e Magfirat karti he hattaki Machhliya’n paani me,
Aur Aalim ki fazilat Aabid per esi he jesi chaand ki fazilat baqi sitaaro per,
Aur tehqeeq ulma Ambiya ke vaaris hai’n, aur Ambiya Alaihissalam dinaar aur dirham ka kisi ko vaaris nahi banate, woh to ilm ka vaaris banate hai’n,
Lihaza jisne ilm hasil kiya usne bahut badi khair hasil ki, ”
    Tirmizi,, 2/93
Next -8 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -08☆★
❄ 8- Din ke Suru aur Aakhri hisse me Nek kaam kijiye, Darmiyan ke Gunaah maaf ❄
⇨ Jis shakhs ne din ka aagaaz bhale kaam se kiya aur din ki inteha bhale kaam se ki uske bare me Allah ta’aala farishto se farmate hai’n,
iske darmiyani hisse ke gunaaho ko mat likho, ”
    Kanzul Ummaal,, 15/781
Next – 9, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 09☆★
❄ 9- Jisne Aainda achchhe kaam kiye, uske Pichhle Gunaah maaf❄
⇨ Hazrat Rasule Paak Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,
“Jisne baqi aainda zindgi me achchhe amal kiye to mazi( pichhle) gunaahi ki bakhsish kar di ja’egi,
Aur jisne baqi aainda zindgi ko bure aamaal aur gaflat me guzaar diya to guzishta ayyam aur baqi ayyam dono ka muwakhza hoga, ”
    Kanzul Ummaal,, 2/244
Next -10 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -10 ☆★
❄ 10- Nek Kaam Karo aur Bade Gunaaho se Bacho, Chhote Gunaah Maaf❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Qasam he us zaat ki jiske qabze me meri jaan he, Nahi he koi banda Jo Paancho Namaze padta ho, Ramzanul Mubarak ke Roze rakhta ho, Zakaat Ada karta ho saath kaba’ir ( bade gunaah) se bachta ho magar uske liye Jannat ke Aatho’n darwaze  qayamat ke din khol diye jaa’enge,
Fir Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat tilawat farmayi,
( Tarjuma)- Jin kaamo se tumko mana kiya ja raha he agar tum unme se Jo bade bade gunaah hai’n bachte rahoge to hum tumhare chhote chhote gunaah tum se zaa’il kar denge, ”
    Kanzul Ummaal,, 15/862
Next 11- , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 11☆★
❄ 11- Jisne apne Bete ko dekh kar Quran padna sikhaya, Uske Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne apne bete ko Naazra Quran padhaya uske agle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja’egi ,”
    Tabrani, 2/557, Majma uzzawa’id, 7/168
Next -12 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 12☆★
❄ 12-Achchhi Tarah Vazu kiniye aur Namaz Padhiye, Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
” Allah ta’aala ne 5 waqt ki namaz farz farmai he,
Jo sakhsh in Namazo ke liye Achchhi tarah Vazu karta he aur unhe mustahab waqt me Ada karta he,
Ruku ( Sazda) itminan ke saath karta he aur poore khushu se padhta he,
To Allah ta’aala ka vaada he k uski zarur magfirat farmaega,
Aur Jo sakhsh in Namazo ko waqt per Ada nahi karta aur na hi khushu se padhta he to usse magfirat ka koi vaada nahi,
Chahe magfirat farmae chahe azaab de, ”
    Abu Daoud, Baabussalaat 465,
Next -13 , in sha Allah Ta’aala,
 
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -13 ☆★
❄ 13- Namaz ke Vazu Kijiye, Gunaaho ko Dho daliye❄
⇨ Hazrat Abdullah Suna Bihi Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab Momin Banda Vazu karta he aur is dauran kulli karta he to uske moonh ke tamaam gunaah dhul jate hai’n,
Jab wo naak saaf karta he to naak ke tamaam gunaah dhul jate hai’n,
Jab chehra dhota he to chehre ke gunaah dhul jate hai’n yaha tak k palko ki jado se nikal jate hai’n,
Jab haatho ko dhota he to haatho ke gunaah dhul jate hai’n yaha tak k haatho ke nakhuno ke niche se nikal jate hai’n,
Jab sar ka Masah karta he to Sar ke gunaah dhul jate hai’n yaha tak k kaano se nikal jate hai’n,
Aur jab paanv dhota he to paanv ke gunaah dhul jate hai’n yaha tak k paanv ke nakhuno ke niche se nikal jate hai’n,
Fir uska Masjid ki taraf chal kar Jana aur Namaz padhna uske liye mazeed ( fazilat ka zaria ) hota he,”
    Nasaa’i,  1 / 29
Next – 14, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 14☆★
❄ 14- Namaz Padhiye, Gunaho se Paak Saaf ho ja’iye ❄
⇨ Hazrat Umar bin Absa Sulmi Raziyallahu Anhu farmate hai’n k,
” Agar Vazu ke baad khade hokar Namaz padhta he jisme Allah ta’aala ki esi Hamd v Sana aur buzurgi bayan karta he Jo uski shaan ke laa’iq he aur apne dil ko tamaam fikro se khali kar ke Allah ki taraf mutavajjah rehta he to ye shakhs Namaz se faarig hone ke baad apne gunaho se esa paak v saaf ho jata he jesa k aaj hi uski maa ne
usko jana ho, ”
    Muslim, 1/276
Next – 15, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 15☆★
❄ 15- Agar kisi se Gunaah Sarzad ho jaye to Achchhi tarah Vazu karke 2 Raka’at namaz padhe aur Maafi maange Gunaah maaf❄
⇨ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
” Jis shakhs se koi gunaah ho jae fir woh achchhi tarah Vazu kare aur uth kar 2 raka’at namaz padhe fir Allah ta’aala se maafi maange to Allah ta’aala use maaf farma dete hai’n,
Iske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat tilawat farmayi,
Tarjuma – Wo Bande jinka haal ye he k jab unse koi gunaah ho jata he ya koi bura kaam karke wo apne ouper zulm kar bethte hai’n to jaldi hi unhe Allah ta’aala yaad aa jate hai’n, fir wo Allah ta’aala se apne gunaaho ki maafi ke taalib hote hai’n aur baat bhi ye he k sivae Allah ta’aala ke koi gunaaho ko maaf nahi kar sakta he aur bure kaam per wo adte nahi aur wo yaqeen rakhte hai’n k tauba se gunaah maaf ho jate hai’n,”
    Abu Daoud, 1/ 213
Next -16 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -16 ☆★
❄ 16- Vazu karke Foran Ye Dua Padhiye, Do Vazuo’n Ke darmiyan Jo Gunaah kiye Wo Maaf ❄
⇨ Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
” Jis Aadmi ne Vazu ka iraada kiya fir apne dono haath dhoye, fir teen baar kulli ki, teen baar naak me paani daala aur teen baar apne chehre ko dhoya aur apne dono haath kuhniyo samet teen martaba dhoya aur apne sar ka masah kiya, fir apne dono paanv ko dhoya fir baat kiye bager
” Ashhadu Allailaha illallahu Wahdahu la shareeka lahu wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu, ”
Pade to us vazu se lekar Aainda Vazu tak gunaaho ki magfirat kar di jati he,”
    Musnad Abu Ya’ala, 1/ 157
Next -17 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 17☆★
❄ 17- Raat ko Ba-Vazu Soya karo Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Apne Jismo ko Paak rakha Karo Allah ta’aala tumhe Paak rakhega,
Kyuki Jo Banda bhi Ba-Vazu raat guzarega to uske saath uske andruni Kapde me ek Farishta raat guzaarta he,
Raat ki jis Ghadi me bhi jab Banda Karvat Leta he to Farishta kehta he,
” A  Allah !  Apne is Bande ki magfirat farma de kyuki isne Ba-vazu raat guzaari he, ”
    Kanzul Ummaal,, 9/ 277
Next – 18, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -18 ☆★
❄ 18-  Jiski Aameen Farishto Ki Aameen se Mil gayi Uske pichhle saare Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab tumme se koi ( Surah Fatiha ke Aakhir me ) aameen kehta he to usi waqt Farishte Aasmaan per Aameen kehte hai’n,
Agar us shakhs ki Aameen Farishto ki Aameen ke saath mil jati he to uske pichhle tamaam gunaah maaf ho jate hai’n,”
    Bukhari, 1/ 108
         Muslim,  1/ 176
Next – 19, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
 
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -19 ☆★
❄ 19- Jiski Tamheed Farishto ki Tamheed se Mil gayi Uske pichhle saare Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab imaam ( ruku’a se uthte hue) ” Samiallahu liman hamidah” kahe to tum ” Allahumma Rabbana lakalhamd ” kaho,
Jiska ye kehna Farishto ke kehne ke saath mil jata he uske pichhle saare Gunaah maaf ho jate hai’n,”
    Muslim,, 1/176
Next -20 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 20☆★
❄ 20- Chaasht ki 2 Raka’at padhne ka Ahatmam kijiye Gunaah maaf ❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo chaasht ki do raka’at padhne ka ahatmam karta he, uske Gunaah maaf kar diye jate hai’n agar che wo Samandar ki jhaag ke barabar ho, ”
    Ibne Maaja, 98
Next – 21, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -21 ☆★
❄ 21- Tahajjud ka Ahatmaam Kijiye, Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Abu Umama  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad  farmaya,
” Tahajjud zarur padha Karo, wo tumse pehle ke nek logo ka Tareeqa raha he, isse tumhe apne Rab ka Qurb haasil hoga, Gunaah maaf honge aur Gunaaho se Bache rahenge, ”
    Mustadrak Haakim, 1/ 308
Next -22 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -22 ☆★
❄ 22- Juma ke Din Gusl kijiye Gunaah Maaf ❄
⇨  Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Juma ke din gusl karna Gunaaho ko Baalo ki Jado se Soont kar nikaal deta he “,
    Kanzul Ummaal,, 7/ 754
Next – 23, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 23☆★
❄ 23- Juma ke Din Ye Kaam kijiye Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko irshad farmate hue suna,
” Jisne Juma ke din gusl kiya aur Jo achchhe Kapde use Mayassar the wo pehne aur khushbu lagai agar uske pass ho Fir wo Namaze Juma ke liye haazir hua aur iski ahatyaat ki k pehle se bethe hue logo’n ki gardano ke ouper se falaangta hua nahi gaya
Fir (Sunnato aur Niflo ) ki Allah ne tofeeq di wo padhi, Fir jab imaam Khutba dene ke liye aaya to Adab aur Khamoshi se uski taraf mutvajjah hokar Khutba suna,
Yaha’n tak k Namaz padh kar faarig hua to us Bande ki ye Namaz is Juma aur isse pehle wale Juma ke darmiyan Gunaaho aur Khatao ke liye Kaffara ho ja’egi, ”
    Musnad Ahmed,, 5/ 420
Next – 24, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -24 ☆★
❄ 24-Jume ke Din Khoob dhyan se Khutba suniye, 10 din ke gunaah maaf  ❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo sakhsh achchhi tarah Vazu karta he fir Juma ki namaz ke liye aata he,
khoob dhyan se khutba sunta he aur khutbe ke dauran Khamosh rehta he,
To is Juma se guzishta Juma tak aur mazeed 3 din ke gunaah maaf kar diye jate hai’n,
Aur jis shakhs ne kankriyo ko haath lagaya yani daurane khutba unse khelta raha ( ya chatai, kapda vagera se khelta raha) to usne fizool kaam kiya,
    Muslim, 1/ 283
Next -25 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 25☆★
❄ 25- Ishraaq ki Namaz padhiye, Gunaah Maaf❄
⇨ Hazrat Muaaz bin Anas Juhani Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo sakhsh Fajar ki namaz se faarig hokar usi jagah betha rehta he,
Khair ke alawa koi baat nahi karta,
Fir 2 raka’at ishraaq ki namaz padhta he,
Uske Gunaah maaf ho jate hai’n chahe wo samandar ke jhaag se zyada hi ho’n, ”
    Abu Daoud, 1/ 182
Next – 26, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – ☆26★
❄ 26- Ramzan me Taraveeh ka Ahatmam kijiye, Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo Ramzan ki raat me Allah ta’aala ke vaado per yaqeen karte hue
aur uske ajr v inaam ke shoq me namaz padhta he,
Uske pichhle sab Gunaah maaf ho jate hai’n,
    Bukhari,, 1/10
Next – 27, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆27★
❄ 27- Paidal chal kar aaiye aur Jama’at se
Namaz padhiye, Gunaah Maaf ❄
⇨ Hazrat Usman bin Affan Raziyallahu Anhu
farmate hai’n k mene Rasulullah Sallallahu
Alaihivasallam se irshad farmate hue suna,
” Jo sakhsh kaamil vazu karta he fir Farz namaz
ke liye chal kar jata he
Aur logo’n ke saath ya Jama’t ke saath ya masjid
me Namaz Ada karta he
To Allah ta’aala uske Gunaah maaf farma dete
hai’n,”
 MUSLIM,, 1/ 122
Next -28 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
        ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – ☆28★
❄ 28- Gunaaho ko Mitane Wale Chand Aamaal ❄
             ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,,
” Kya me tumhe ese amal na batlau’n jinki vajah se Allah ta’aala gunaaho ko mitaate hai’n aur darje buland farmate hai’n,
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya-
Ya Rasulullah! Zaroor batlaiye,
Irshad farmaya-
Nagawari,v Mashaqqat ke bavjood kaamil vazu karna,
Masajid ki taraf kasrat se qadam uthana,
Aur ek Namaz ke baad doosri Namaz ke intezar me rehna,
Yahi haqeeqi rubaat ( duahmanane deen ki nigrani karna) he, ”
    Muslim,, 1/127
Next – 29, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆29★
❄ 29- Buland Awaaz se Azaan Dijiye, Gunaah Maaf ❄
⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Bara bin Aazib Raziyallahu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,,
” Bila shubha Allah ta’aala pehli saff walo per rehmat bhejte hai’n,
Farishte unke liye Duae rehmat karte hai’n,
Aur Moazzin ke gunaah maaf kiye jate hai’n jaha tak uski awaaz pahunchti he,
Jo jaandar v bejaan uski awaaz ko sunte hai’n iski tasdeeq karte hai’n,
Aur Moazzin ko un tamaam Namaziyo ke barabar ajr milta he jinhone uske saath Namaz padhi, ”
 Nasaa’i,, 1/ 106
Next – 30 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – ☆30★
❄ 30- Paancho Namazo ka Ahatmam kijiye, Gunaah Maaf❄
           ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,,
” Paancho Namaze, Juma ki namaz pichhle Juma tak aur Ramzan ke Roze pichhle Ramzan tak ke gunaaho ke liye Kaffara hai’n,
Jabki in Aamaal ko karne wala kabeera gunaaho se bache, ”
 Muslim,, 1/122
Next – 31 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – 31☆★
❄ 31- Janabat ke baad Gusl kijiye , Gunaah Maaf❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Paancho Namaze aur ek Juma se lekar doosre Juma tak
aur Amanat ka  Ada karna ye apne darmiyani Gunaaho ka kaffara he, ”
Arz kiya gaya –
“Ya Rasulullah ! Amanat ka Ada karna kya he? ”
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Janabat ke baad gusl karna,
kyuki har Baal ke niche janabat yani najasat hoti he, ”
 Ibne Majaa,, 44
Next -32 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – 32☆★
❄ 32- Saff me Khali Jagah ho to Pur kijiye, Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Hujyfa Raziyallahu Anhu se rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Saff me khali jagah ko pur kiya
Uski magfirat kar di jati he,”
 Bizzar Majmu az zawaid, 2/ 251
Next – 33, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART -33 ☆★
❄ 33- Jangal me Rehne Wala Jab Azaan kehta he aur Namaz padhta he, to Uske Gunaah maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab koi bakriya’n charane wala kisi pahaad ki Jad me ( ya Jangal me ) azaan kehta he Aur Namaz padhne lagta he,
To haq ta’aala Shanh usse behad khush hota he aur ta’ajjub v tafakhur se Farishto se farmata he
Dekho mera banda azaan keh kar namaz padhne laga ye sab mere dar ki vajah se kar raha he
Mene iski magfirat kar di aur Jannat ka dakhila tai kar diya, ”
 Kanzul Ummaal,, 7/294
Next – 34, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – 34☆★
❄ 34- Namaz ke liye Paidal aaiye aur Jaaiye, Har Qadam per ek Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo Aadmi us Masjid ki taraf chale Jaha bajama’at namaz hoti ho to
har ek qadam uski ek khata ko mita dega aur doosre qadam per ek neki likhi jaa’egi, aate hue bhi aur jaate hue bhi,”
 Tabrani, 1/ 207
Next -35 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – 35☆★
❄ 35- Azaan Sunkar ye Dua Padhe, Aapke Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Sa’ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Moazzin ki azaan sunne ke waqt ( yani jab wo azaan padh kar faarig ho jaye) ye dua padhe
” Ashhadu Alla ilaaha illallaahu Vahdahu La sharika lahu Va anna Muhammadan Abduhu Va Rasuluhu,
Razitu billahi Rabbanv va bil islaami deenanv va bi muhammadi Sallallahu Alaihivasallam Rasula ”
To uske Gunaah bakhsh diye ja’enge , ”
 Ravaah Muslim v Tirmizi, 1/185
Next -36 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
Guldasta -E -Magfirat 
( Mayoos Kyu Khada He)
★☆ PART – 36☆★
❄ 36- Jisne Sazde me 3 Martaba ” Rabbigfirli ” kaha Uske Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis Aadmi ne sazde ki haalat me 3 martaba
        “Rabbig firli ”
Kaha, Sazde se wo sar utha nahi paa’ega  k uski magfirat kar di ja’egi, ”
 Kanzul Ummaal,, 7/ 465
Next -37 , in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
  ( Mayoos Kyu Khada He)
    ★☆ PART -37 ☆★
❄ 37- Jisne Zuhar se Pehle 4 Raka’at Sunnat Padhi, Uske din ke Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
“Jisne Zuhar se pehle 4 raka’at padh li to Allah ta’aala uske us din ke Gunaaho ko maaf farma denge, ”
 Kanzul Ummaal,, 7/375
Next – 38, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 38☆★
❄ 38- Jisne Asar se Pehle 4 Raka’at padhi, Uske Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Ali Karamullah Vajhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Meri ummat Musalsal Asar se pehle 4 raka’at padhti rahegi hattaki wo zameen per is haal me chalegi k yaqeenan uski magfirat ki ja chuki hogi, ”
 Kanzul Ummaal,, 7/384
 Aaj Ummat Ka haal ye he K Asar ki Sunnato ko chhodne ki aadat bana chuki he, Allah maaf kare aur Tamaam Ahle imaan ko Tamaam Sunnato ka Paband banaye,
Aameen ya Rabbul Aalameen,
Next -39, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
 
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 39☆★
❄3 9- Jisne Magrib ke Baad 6 Raka’at padhi, Uske Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene apne Habeeb  Rasulullah Sallallahu  Alaihivasallam ko dekha k Magrib ke baad 6 Raka’ate padhte the,
Aur Huzure Anwar Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo banda Magrib ke baad 6 raka’at padhega uske Gunaaho ki magfirat kar di ja’egi chahe samundar ke jhaag ke barabar ho’n, ”
 Tabrani, 1/ 404
Next -40, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 40☆★
❄40- Miya Bivi ek doosre ko Bedaar kare aur Tahajjud padhe , Dono ke Gunaah maaf  ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu v Abu Saied Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab khawind raat ko apni bivi ko uthaye Fir do no Tahajjud padhe to un do no ko bakasrat Allah ka zikr karne wale Mard aur bakasrat zikr karne wali Aurto’n me likh diya jata he, ”
Aur Tabrani ne alfaze hadees yu’n naqal kiye he’n,
” Jo Aadmi raat ko Bedaar hokar apni bivi ko jagaye jis per neend ka galba ho raha ho ( aur galba e neend ki vajah se wo na uth saki) to uske moonh per paani ka chheenta de diya, fir dono apne ghar me ibadat ke liye khade hue aur raat ki ek ghadi Allah ta’aala ka zikr karne lage to Allah ta’aala dono ki magfirat farma dete he’n, ”
 Kanzul Ummaal,, 7/ 793
Next -41, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 41☆★
❄ 41-Salaat ul Tasbeeh Padhiye, Sare Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba apne chacha Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu se farmaya,
” Ey   Mere chacha kya me tumhe ek atiya karu’n?
Ek bakhshish karu’n?
Ek cheez batau’n?
Tumhe 10 cheezo ka maalik banau’n?
Jab tum is kaam ko karoge to haq ta’aala Shanh tumhare sab gunaah pehle pichhle purane aur naye, galti se kiye hue aur jaan boojhkar kiye hue,chhote aur bade, chhup kar kiye hue aur khullam khulla kiye hue sab hi  maaf farma dega,
Wo kaam ye he k 4 raka’at nifl ( Salaat ul tasbeeh ki niyat baandh kar) padho aur har raka’at me jab  Alhamd aur soorat padh chuko to
ruku se pehle khade hue
“Subhanallahi Walhamdulillahi Wa lailaaha illallahu Wallahu Akbar”
15 martaba padho,
Fir jab ruku karo to 10 martaba usme padho,
Fir jab ruku se khade ho to 10 martaba padho,
Fir jab sazda Karo to 10 martaba usme padho,
Fir sazde se uth kar betho to 10 martaba padho,
Fir jab doosre sazde me jao to 10 martaba usme padho,
Fir jab doosre sazde se utho to ( doosri raka’at ke liye ) khade hone se pehle beth kar 10 martaba,
In sab ki mizaan 75 hui,
isi tarah har raka’at me 75 dafa hoga,
Agar mumkin ho sake to rozana ek martaba is namaz ko padh liya Karo ye na ho to har Juma ko ek martaba padh liya Karo, ye bhi na ho sake to har mahine me ek martaba padh liya Karo, ye bhi na ho sake to saal me ek martaba padh liya Karo, ye bhi na ho sake to umar bhar me ek martaba to padh hi lo, ”
 Aur Hazrat Abdullah bin Mubarak Raziyallahu Anhu se is namaz ka ye tareeqa naqal kiya gaya he k
Sana padhne ke baad Alhamd sharif padhne se pehle 15 dafa in kalmo ko padhe, fir Auzu aur Bismillah padh kar
Alhamd sharif aur fir koi soorat padhe,
Soorat ke baad ruku se pehle 10 martaba padhe,
Fir ruku me 10 martaba padhe,
Fir ruku se uth kar, fir dono sazdo me, aur dono sazdo ke darmiyan beth kar 10 martaba padhe ye 75 ho gayi,
( lihaza doosre sazde ke baad Beth kar padhne ki zarurat nahi rahi ),
 Abu Dauwd, 1/183
Next -42, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 42☆★
❄42-Jume ke Din Fajar ki Namaz ba-jama’at Padhiye, Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Ubeda Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Juma ke din Fajar ki namaz ba-Jama’at padhne se koi namaz afzal nahi he,
Aur mera gumaan ye he k Jo Aadmi Fajar ki namaz ba-Jama’at padhega uski zarur ba zarur magfirat kar di ja’egi,”
 Kanzul Ummaal,, 7/369
Next -43,  in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 43☆★
❄43- Masjide Aqsa me Namaz Padhiye, Saare Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab Hazrat Suleman bin Dauwd Alaihissalaam Betul muqaddas ki tameer se faarig ho gaye to Allah ta’aala se ye 3 duae maangi, :-
1- Esa faisla ata farma Jo hukme ilaahi ke muwafiq ho,
2- Ey   Allah  mujhe esi saltnat ata farma Jo mere Siva kisi aur ke liye munasib na ho,
3- Jo bhi banda is masjid me sirf namaz padhne ki garz se hazir ho wo apne gunaaho se is tarah nikal jaye jis tarah maa se pedaish ke din tha ( yani kuchh bhi gunaah baqi na rahe),
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Behar haal pehli 2 duae to Hazrat Suleman Alaihissalaam ki qubool kar li gayi aur mujhe Allah ki zaate aali se ummeed he k unki teesri dua bhi qubool farma li gayi,”
 Nasaa’i, 1/ 112
Next -44 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 44☆★
❄44- Shabe Qadr me Khoob Namaz padho aur Ramzan me Roze Rakho, Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Shabe Qadr me imaan ke saath aur Sawaab ki niyat se ( ibaadat ) ke liye khada ho uske pichhle tamaam gunaah maaf kar diye jate hai’n,
Aur Jo shakhs Ramzan ul Mubarak Ka Roza rakhe imaan ki haalat me aur Sawaab ki ummeed rakhte hue, to uske guzishta gunaaho ki magfirat kar di ja’egi,”
 Ravaah ul Bukhari, Kitabul imaan, safa 7
Next -45 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -45 ☆★
❄45- Magrib aur Isha ke Darmiyan Namaz Padhiye Din bhar ke Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Salmaan Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Magrib aur Isha ke darmiyan namaz ko laazim pakdo kyuki ye din bhar ke Gunaaho aur behudgiyo ko saaf kar degi, ”
 Kanzul Ummaal, 7/ 387
Next -46 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 46☆★
❄46- Jisne Raza e ilaahi ke liye Masjid banai ya Kunvaa khudwaya, Uske Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Khalis Allah ki raza ke liye Masjid banai to Allah uske liye Jannat me ghar ghar banayenge, Agar usi din Mar gaya to uski magfirat kar di ja’egi,
Aur jisne Allah ta’aala ki raza ke liye kunvaa khoda to uske liye Allah ta’aala Jannat me ghar banayenge, agar wo usi din Mar gaya to uski magfirat kar di ja’egi,”
 Kanzul Ummaal,, 7/655
Next -47 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -47 ☆★
❄47- Das Martaba Allahu Akbar, Das Martaba Subhanallah aur Das martaba Allahummagfirli  kahiye, Aapke Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Salma Raziyallahu Anha se rivayat he k  mene arz kiya,
Ya Rasulullah!  Mujhe Chand kalimaat bata dijiye magar zyada na ho,
Aap Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” 10 martaba Allahu Akbar kaho,
Allah ta’aala farmate he’n ye mere liye he’n,
10 martaba Subhanallah kaho,
Allah ta’aala farmate he’n ye mere liye he’n,
Aur kaho, Allahummagfirli,
Ey Allah meri magfirat farma de,
Allah ta’aala farmate he’n, mene magfirat kar di,
Tum isko 10 martaba kaho, Allah ta’aala har martaba farmata he, mene magfirat kar di,”
 Tabrani, 10/ 109
Next -48 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
┄─━═════▤▤═════━─┄
  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -48 ☆★
❄48- Teesre Kalme ka Vird kijiye, Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Dauwd Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Subhanallahi Walhamdulillahi Wa lailaaha illallahu wallahu Akbar, wala havla wala quvvata illa billahi,
Kaha karo, ye baqayamat saalihaat ( baqi rehne wali nekiya’n ) he’n,
aur ye gunaaho ko is tarah mita dete he’n, jis tarah darakht se ( sardi ke mosam me) patte jhadte he’n,
Aur ye kalimaat jannat ke khazano me se he’n,
 Tabrani, 10/ 104
Next -49 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄ 
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 49☆★
❄49- Ye Dua kijiye, Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Zaid Raziyallahu anhu se rivayat he k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna he,
” Jo shakhs-
Astagfirullahillazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom va atubu ilayhi
Kahe uski magfirat kar di ja’egi, agarche wo maidane jihaad se bhaga ho,”
Ek rivayat me in kalmaat ko 3 martaba padhne ka zikr he, ”
 Tarjuma,
Me Allah ta’aala se magfirat chahta hu’n jiske Siva koi ma’abood nahi wo zinda he, qaaim rakhne wale he’n aur usi ke saamne Tauba karta hu’n, ”
 Abu Dauwd, Mustadrak Haakim  2/118
Next -50 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄ 
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat 
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 50☆★
❄50- Aapke Gunaah Samundar ke Jhaag ke barabar ho to Ye Kalmaat Kahiye, Saare Gunaah Maaf ❄
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Zameen per Jo shakhs bhi
La ilaaha illallahu vallahu akbar valaa havla valaa quvvata illa billahi
padhta he to uske tamaam gunaah maaf ho jate hai’n chahe samundar ke jhaag ke barabar ho, ”
 Tirmizi, 2/ 184
 Ek aur rivayat me ye fazilat
“Subhanallahi valhamdulillahi ”
Ke izaafe ke saath zikr ki gayi he,
 Mustadrak Haakim, 503
Next -51 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄  ┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -51 ☆★
51- Subhanallah 100 martaba Kahiye, 1000 nekiya’n likhi Jayegi aur 1000 Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Sa’ad Raziyallahu Anhu farmate he’n k hum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me bethe hue the k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Kya tumme se koi shakhs har roz ek hazaar nekiya’n kamane se aajir he? ”
Aapke paas Bethe hue logo me se kisi ne puchha k hum me se koi Aadmi ek hazaar nekiya’n kis tarah kama sakta he?
” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,Jo shakhs 100 martaba
       “Subhanallahi ”
Kahega uske liye ek hazaar nekiya’n likh di ja’egi aur uske ek hazaar gunaah maaf kar diye jaa’enge,”
Muslim,, 2/ 345
Next -52 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 52☆★
52- Bazaar me Ye Dua Padh kar Qadam rakhiye, 10 Lakh Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Bazaar me qadam rakhte hue ye kalmaat padhe
” La ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul hamdu Yuhyi va Yumeetu Va huva hayyu la yamutu biyadihil Khayru va huva alaa kulli shayin qadeer
Allah ta’aala uske liye 10 laakh nekiya’n likh dete he’n,
aur 10 laakh khatae’n mita dete he’n,
aur 10 laakh darje buland kar dete he’n,
Ravaah Tirmizi, 3428
Next -53, in sha Allah Ta’aala,
  ┄─━═════▤▤═════━─┄ 
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 53☆★
53- La ilaaha illallahu kahiye, Aapke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo bhi banda kisi waqt bhi din me ya raat me
La ilaaha illallahu
Kehta he uske naama amaal me se Buraiya’n mita di jati he’n aur unki jagah nekiya’n likhi jati he’n,
Ravaah Abu Ya’ala, Musnad Abu Ya’ala, 3/ 445
            ⇩⇩⇩
⇨Ek aur rivayat me he k,
” Jab musalman Banda
La ilaaha illallahu
Kehta he to ye kalma aasmaano ko cheerta hua Allah ta’aala ke saamne khada ho jata he, to haq ta’aala Shanh irshad farmate he’n,”Thehar Ja ”
Wo arz karta he k kese thehar jau halanki mere padhne wale ki magfirat nahi hui,
Haq ta’aala Shanh irshad farmate he’n,
” mene uski magfirat karne ke liye hi tujhko uski zubaan se jaari kiya tha,”
Kanzul Ummaal, 1/48
Next -54 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 54☆★
54- Sone Wala Jab Karwat badle to Ye kalmaat Kahe, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jab Banda apne bistar per ya zameen per sone ke liye leytta he fir Raat ko daayi jaanib ya baayi jaanib karwat leta he fir wo
Ashhadu Allailaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu Yuhyi va Yumeetu va huva hayyu la yamutu biyadihil khayru va huva alaa kulli shayin qadeer
Padhta he to Haq ta’aala Shanh farishto se farmate he’n,
“Mere bande ko dekho is waqt bhi mera banda mujhe bhoola nahi, me tumko gawah banata hu’n k mene is per Rahmat nazil ki aur iski magfirat kar di,”
Kanzul Ummaal, 15/ 345
Next -55 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 55☆★
55- Fajar ki Namaz ke baad 100 martaba Subhanallah aur 100 martaba La ilaaha illallah Padhiye, saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Subeh ki namaz ke baad
100 martaba
       Subhanallah
Aur 100 martaba
      La ilaaha illallah
Padha to uske Gunaaho ki magfirat kar di ja’egi chahe uske Gunaah samundar ki jhaag ke barabar ho, ”
Kanzul Ummaal, 1/ 464
Next -56  in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 56☆★
56- Har Namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, 33 martaba Alhamdulillah, 33 mattaba Allahu akbar aur Ek martaba Ye Dua padhiye, Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs har namaz ke baad
Subhanallah 33 martaba
Aur Alhamdulillah 33 martaba
aur Allahu Akbar 33 martaba padhe,
Ye 99 ho gaye, fir 100 ko pura karne ke liye kahe
La ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu va huva alaa kulli shayin qadeer
To uske Gunaaho ki magfirat kar di ja’egi chahe uske Gunaah samundar  ke jhaag ke barabar ho,
Kanzul Ummaal, 1/169
Next -57 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -57 ☆★
57- Namaz ke Baad ye Tasbeeh Padhiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Namaz ke baad kahe
Subhanallahil azeemi va bihamdihi la havla valaa quvvata illa billahi
Wo shakhs is haal me khada hoga k uski magfirat ho chuki hogi,
Ravaah Al Bizzaar, Kazafi Al Targeeb, 2/ 454
Next -58 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄  
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 58☆★
58- Subeh v Shaam 100 martaba “Subhanallahi vabihamdihi ” Padhiye, Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Subeh ko 100 martaba aur Shaam ko 100 martaba
  Subhanallahi Vabihamdihi
Padhe uske Gunaaho ki magfirat kar di ja’egi, chahe uske Gunaah samundar ke jhaag se zyada ho’n, ”
Kanzul Ummaal,, 1/47
Next -59 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -59 ☆★
59- Subeh v Shaam Ye kalmaat 10 martaba kaha Karo, 10 Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Subeh ke waqt
La ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu Yuhyi va Yumeetu va huva Alaa kulli shayin qadeer
10 martaba padha to Allah ta’aala uske liye 10 nekiya’n likhenge
Aur 10 khatao’n ko maaf farma denge
Aur ye kalmaat uske liye 10 gulaam azaad karne ke barabar honge
Aur Allah ta’aala usko Shaytan se panah me rakhenge
Aur jis shakhs ne kalmaat mazkura ko raat ke waqt padha to bhi mazkura fazilat hasil hogi, ”
Kazafil Targeeb, 1/455
Next -60  in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 60☆★
60- Allah Ke Pasandida 4 Kalme
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah Rabbul izzat ne chaar kalme chun liye he’n,
     Shubhanallahi
    Walhamdulillahi
  Va laa ilaaha illallahu
     Wallahu Akbar
Jisne kaha Subhanallahi uske liye 20 nekiya’n likhi ja’egi aur 20 khatae’n maaf ki ja’engi,
Aur jisne Allahu Akbar kaha usko bhi itna hi sawaab milega,
Aur jisne La ilaaha illallahu kaha uske liye bhi itna sawaab he
Aur jisne ikhlaas se Alhamdulillahi Rabbil Aalameen kaha uske liye 30 nekiya’n likhi ja’egi, 30 khatae’n maaf hongi, ”
Kanzul Aamaal, 1/461
Next -61 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 61☆★
61- Musafe ke Waqt Dono ” Yagfirullahu Lana Va Lakum” aur Mizaaj pursi ke Waqt ” Alhamdulillah ” kahe dono ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Bara’a bin Aazib Raziyallahu Anhu Farmate he’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab 2 musalman mulaqaat ke waqt musafa karte he’n aur Allah ta’aala ki tareef karte he’n aur Allah ta’aala se magfirat talab karte he’n,
( Yani musafe ke waqt Yagfirullahu Lana va lakum  aur mizaaj pursi ke waqt Alhamdulillah kehte he’n)
To unki magfirat kar di jati he,
Abu Dauwd, 2/ 708
Next -62 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -62 ☆★
62- Khane ke baad aur Kapda pehante Waqt Ye Dua padhiye, Aapke agle pichhle Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne khana khakar ye dua padhi
Alhamdu lillahillazi At’amni haazatt’aama va razaqnihi min Gayri Havli minni vala quvvati
⇨ Tarjuma,
Tamaam Tareefe Allah ke liye he jisne mujhe ye khana khilaya aur meri koshish aur taqat ke bager mujhe ye naseeb farmaya,
To uske agle pichhle gunaah maaf ho jate hai’n,
Aur jisne Kapda pehan kar ye dua padhi
Alhamdu lillahillazi kasaani haazassawaba va razaqnihi min Gayri Havli minni vala quvvati
⇨ Tarjuma
Tamaam Tareefe Allah ta’aala ke liye he Jisne mujhe ye kapda pehnaya aur meri koshish aur taqat ke bager mujhe ye naseeb farmaya
To uske angle pichhle gunaah maaf ho jate hai’n, ”
Abu Dauwd, 2/557
Next -63  in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 63☆★
63-Akhtaame Majlis Per Ye Dua Padhiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Juber bin Mut’im Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Akhtaame Majlis per kaha
Subhaa nakallahumma va bihamdika Ashhadu an laa ilaaha illa anta Astagfiruka va Atubu ilayka
To agar ye zikr ki majlis thi to is maslis per muhar laga di ja’egi
Aur agar ye behuda aur laayani majlis thi to ye kalmaat un majlis ka kaffara ban ja’enge, ”
Kanzul Ummaal, 9/142
Next -64, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 64☆★
Juma ke Din Fajar ki Namaz se Pehle ye Dua Padhiye, Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs juma ke din Fajar ki namaz se pehle 3 martaba
Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom va atubu ilayhi
padhe to Allah ta’aala uske Gunaaho ki magfirat farma denge chahe uske Gunaah samundar ke jhaag ke barabar ho’n,”
Ravaah ibnul Sunni kazafi amal al Yaum, 83
Next -65 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 65☆★
Jume ki Namaz se Faarig hokar “Subhanallahil azeemi va bihamdihi ” 100 martaba Kaha karo Aapke ek Lakh aur Walden ke 24 Hazaar Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Juma ki namaz se faarig hokar
Subhanallahil azeemi va bihamdihi
100 martaba padha to Allah ta’aala uske ek lakh Gunaah maaf farma denge aur uske walden ke 24 hazaar gunaah maaf farma denge,
Ravaah ibnul Sunni Fi Amal al Yaum, 164
Next -66 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
  ┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 66☆★
66- Fajar aur Asr ke Baad Ye Dua Padhiye, Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Mu’aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue suna he k,
” Jo shakhs Fajar ki namaz ke baad 3 martaba aur Asr ki namaz ke baad 3 martaba
Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huvaal hayyul qayyoom va atubu ilayhi
Padhe to uske Gunaaho ki bakhshish ho ja’egi8 chahe uske Gunaah samundar ke jhaag ke barabar hi kyo na ho’n, ”
Kanzul Ummaal,, 2/150
Next -67 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 67☆★
67- Let te Waqt Ye Dua 3 martaba Padhiye Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs apne bistar per let te hue 3 martaba
Astagfirullahallazi laa ilaaha illa huval hayyul qayyoom va atubu ilayhi
Padhe to uske Gunaaho ki magfirat kar di ja’egi chahe samundar ke jhaag ke barabar ho’n,
chahe darakht ke patto ke shumar ke muvafiq ho’n,
Chahe tah ba tah ret ke zarro ke barabar ho’n
Chahe Duniya ke Dino ke adad ke muvafiq ho’n “,
Tirmizi, 2/175
Kanzul Ummaal, 15/334
Next -68 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 68☆★
68-Bedaar hote hi Ye Dua Padhiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abbaas bin Samit Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne bedaar hote hi ye dua padhi
Laa ilaaha illallahu vahdahu La sharika lahu lahul mulku va lahul handu va huva Alaa kulli shayin qadeer,
Alhamdulillahi va subhanallahi va laa ilaaha illallahu vallahu akbar valaa havla valaa quvvata illa billahi
Aur fir usne yu’n kaha
Allahummagfirli
Ya aur koi dua maangi to Allah ta’aala qubool farmaenge,
uske baad vazu karke Namaz padhi to uski namaz qubool ho gayi, ”
Ravaah Bukhari v Abu Dauwd 273
Next -69 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 69☆★
69- Allah ki Raza ke liye Surah Yaseen Padhiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jundub Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” jis shakhs ne Surah Yaseen kisi raat me Allah ta’aala ki raza ke liye padhi to uski magfirat kar di jati he,”
Ibne hibaan,
Next -70  in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 70☆★
70- Surah Mulk Padh lijiye Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Qurane kareem me ek surat 30 aayat ki esi he k wo apne padhne wale ki shafa’at karti rehti he yaha tak k uski magfirat kar di jati he, wo Surah Tabarakallazi he ”
Tirmizi, 2/113
Next -71 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 71☆★
71- Fajar ki Namaz ke baad 100 martaba Surah Ikhlaas Padhiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Vaasila bin Asqahi Raziyallahu Anhu kehte he’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna,
” Jis shakhs ne Subeh ki namaz padhi fir bolne se pehle 100 martaba surah ikhlaas padhi ( qul huvallahu Ahad)
To Allah ta’aala uske ek saal ke Gunaaho ki magfirat farma denge,”
Kanzul Ummaal, 2/152
Next -72 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -73 ☆★
73- Har Roz 200 martaba Surah ikhlaas Padhiye, 50 saal ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne har roz 200 martaba Qul huvallahu Ahad Padhi uske 50 saal ke Gunaah maaf kar diye jaa’enge magar ye k us per qarz ho, ”
Ravaah Tirmizi, 2/448
Next -74 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -72 ☆★
72-Surah Hashr ki Aakhri 3 Aayate’n Padhiye, Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne Surah Hashr ki Aakhri 3 Aayaat padhi to uske angle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja’egi,”
Abu ishaaq, 102
Next -73 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -74 ☆★
74- Gunaah per Sharmindgi ka izhaar kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Masud Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne koi Galti ki ya koi Gunaah kiya Fir us per Sharminda hua to ye Sharmindgi uske Gunaah ka kaffara he,”
Ravaah Behqi fi Sh’abul imaan, 5/387
Next -75 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 75☆★
75- Ey Allah! Teri Magfirat mere Gunaaho se bahut Zyada wsi’a he aur Me Apne Amal se Zyada Teri Rehmat ka Ummeed vaar hu’n ” 3 martaba Kehne se Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu farmate he’n k ek shakhs Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haajir hua aur kehne laga,
” Haay mere gunaah!  Haay mere gunaah! Usne ye 2 ya 3 martaba kaha,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne usse kaha,
” Kaho :
Allahumma Magfiratuka av sa’u min zunubi va rahmatuka arjaa indii min amali,
Tarjuma –
Ey Allah! Teri magfirat mere gunaaho se bahut zyada wasi’a he aur me apne amal se zyada Teri rehmat ka ummeed vaar hu’n, ”
Us shakhs ne ye kalmaat kahe,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Fir kaho,
Usne fir kahe,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Fir kaho,
Usne teesri martaba bhi ye kalmaat kahe,
Iske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Uth jao,  Allah ta’aala ne tumhari magfirat farma di, ”
Mustadrak Haakim, 1/543
Next -76 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 76☆★
76- Nadamat ke Saath Apne gunaah ka iqraar kijiye aur Maafi Maangiye,Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko irshad farmate hue suna,
‘”Koi banda jab gunaah kar leta he fir ( naadim hokar) kehta he,
Mere Rab! Me to gunaah kar betha ab tu mujhe maaf farma de
To Allah ta’aala Farishto ke saamne farmata he,
” Kya mera ye banda ye jaanta he ki uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he,? ( sun lo) mene apne bande ki magfirat kar di,”
Fir wo banda jab tak Allah chahe gunaah se ruka rehta he, fir koi gunaah kar bethta he to ( Naadim hokar ) kehta he,
” Mere rab!  Me to ek aur gunaah kar betha tu usko bhi maaf kar de,
To Allah ta’aala farishto se farmata he,-
” kya mera ye banda ye jaanta he k uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he? (Sun lo) mene apne bande ki magfirat kar di,”
Fir wo banda jab tak Allah ta’aala chahe gunaah se ruka rehta he, iske baad fir koi gunaah kar bethta he to (Naadim hokar) kehta he,
“Mere rab!  Me to ek aur gunaah kar betha tu usko bhi maaf kar de,”
To Allah ta’aala Farishto ke saamne
[2/2, 8:49 AM] AK: To Allah ta’aala Farishto ke saamne farmata he,
” Kya mera ye banda ye jaanta he ki uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he,? ( sun lo) mene apne bande ki magfirat kar di,”
Fir wo banda jab tak Allah chahe gunaah se ruka rehta he, fir koi gunaah kar bethta he to ( Naadim hokar ) kehta he,
” Mere rab!  Me to ek aur gunaah kar betha tu usko bhi maaf kar de,
To Allah ta’aala farishto se farmata he,-
” kya mera ye banda ye jaanta he k uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he? (Sun lo) mene apne bande ki magfirat kar di,”
Fir wo banda jab tak Allah ta’aala chahe gunaah se ruka rehta he, iske baad fir koi gunaah kar bethta he to (Naadim hokar) kehta he,
“Mere rab!  Me to ek aur gunaah kar betha tu usko bhi maaf kar de,”
To Allah ta’aala Farishto ke saamne farmata he,
” Kya mera ye banda jaanta he k uska koi Rab he Jo gunaaho ko maaf karta he aur un per pakad bhi kar sakta he? (Sun lo) mene apne bande ki teesri martaba bhi magfirat kar di, banda Jo chahe kare, ”
Bukhari,, 2/1117
Next -77 in sha Allah Ta’aala,

┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 77☆★
77-Aapke Gunaah Aasmaan ki Bulandi Tak Pahunch Jaye, To Maafi Maange, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah ta’aala irshad farmata he, Ey Aadam ke bete!  Beshaq tu jab tak mujhse Dua maangta rahega aur ( magfirat ki) ummeed rakhega, me tujhko maaf karta rahunga, Chahe kitne hi gunaah kyu na ho aur mujhko iski parvaah na hogi,
Yani tu chahe kitna hi bada gunaahgar ho tujhe maaf karna mere nazdeek koi badi baat nahi he,
Aadam ke bete!  Agar tere gunaah Aasmaan ki bulandiyo tak bhi pahunch jaye fir tu mujhse bakhshish chahe to me tujhko bakhsh dunga aur mujhko iski parvaah nahi hogi, ”
Tirmizi, 2/193
Next -78 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
    
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -78 ☆★
78-Jume Ki Raat me Ha meem Al-Dukhan Padhiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis shakhs ne Ha meem Al-Dukhan ko Sahabe Juma me padha to uski magfirat kar di ja’egi,”
Kanzul Ummaal, 1/581
Next -79 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 79☆★
79- Juma ke Din Surah Kahaf ki Tilawat kijiye,Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Jo shakhs Juma ke din Surah Kahaf ki Tilawat karega uske qadam se lekar Aasmaan ki bulandi tak noor ho ja’ega Jo Qayamat ke din Roshni dega,
aur guzishta Juma se is juma tak ke uske sab Gunaah maaf ho ja’enge,( sagira gunaah muraad he ) ”
Kanzul Ummaal, 1/576
Next -80 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -80 ☆★
80- Aapke Gunaah Aasman ki Bulandi tak Pahunch jaye to Maafi maange, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” qasam he us zaat ki jiske qabze me meri jaan he Agar tumse is qadar gunaah aut khatae’n sarzad ho jaye, jinse aasman v zameen bhar jaye
Aur fir tum Allah ta’aala se magfirat chaho to Allah ta’aala zarur magfirat farma dega,
Aur qasam he us zaat ki jiske qabze me Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki jaan he, Agar tum khata na karo to Allah ta’aala ese log payda farmaenge Jo Gunaah aur khatae’n karenge,
Fir Allah ta’aala se magfirat chahenge to Allah ta’aala unki magfirat farma denge,”
Kanzul Ummaal,, 4/244
Next -81 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -81 ☆★
81- Jo Magfirate Khudawandi per qaamil yaqeen ralhta he, uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Allah Jal Jalalahu ne irshad farmaya,
” Jis Aadmi ne ye Yaqeen kar liya k me gunaho ki magfirat per qaadir hu’n to me uski magfirat kar dunga, mujhe koi parvah nahi Jab tak wo mere saath shirk na kare,”
Jaamia Tirmizi, 2/72
Next -82  in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 82☆★
82- Kasrat se Astagfar karte raho, har Tangi se Nijaat aur Qayamat ke Din Masarrat hogi
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ “Jo shakhs Astagfaar me laga rahega yani Jo shakhs kasrat se Astagfaar padhega,
Allah ta’aala uske liye har tangi se nikalne ka raasta payda farma dega, ”
Ibne maaja,, 1/213
⇨” Jo shakhs ye chahta he k ( Qayamat ke din) uska naama amaal usko khush kare to kasrat se astagfaar kare, ”
Tabrani,, 1/465
Next -83 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -83 ☆★
83- Allah Ta’aala ne Qasam khayi he k Bande Jab Tak Astagfaar Karte Rahenge, Allah Ta’aala maaf Farmata Rahega
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Iblees ne apne Rab se kaha,
” Teri izzat aur Jalaal ki qasam!  Jab tak Bani Aadam me Rooh rahegi me unko Gumraah karta rahunga, ”
Haq ta’aala Shanh ne usse farmaya,
” Meri izzat aur Jalaal ki qasam! Jab tak wo mujhse magfirat talab karte rahenge me bhi unko musalsal maaf karta rahunga,”
Kanzul Ummaal,, 1/481
Next -84, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 84☆★
84- Toba ka Darwaza Khatkhatiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Allah Rabbul izzat ka paak irshad he,
” Mujhse badhkar kon sakhi he, Bando ki khwabgaho me hifazat karta hu’n goya unhone meri nafarmani nahi ki,
Aur ye mera karam he k Toba karne wale ki toba qubool karta hu’n,
Hatta k wo Toba hi karta rehta,
Wo kon he jisne mera darwaza khatkhataya aur mene uske liye darwaza na khola ho?
Kon he jisne mujhse maanga ho aur mene usko na diya ho?
Kya me bakheel hu’n k banda mujhko bukhl ki taraf mansoob karta he, ”
Kanzul Ummaal, 4/229
Next -85 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 85☆★
85-Rabbigfirli Keh dijiye, Aapke Gumaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Banda Arz karta he,
“Ey Rab! Mujhe maaf kar de Tehqeeq k me gunaah kar betha, ”
Farishte Arz karte he’n,
” Ey Baari Ta’aala ye iska( magfirat ka) ahal nahi he,”
Haq ta’aala Shanh irshad farmate he’n,
” Lekin me to is baat ka Ahal hu’n k uski magfirat kar du’n, ”
Kanzul Ummaal, 1/480
Next -86 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -86 ☆★
86- Jisko Astagfaar ki Tofeeq mil gayi, Uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jisko 4 Cheeze mil gayi woh 4 Cheezo se mehroom nahi raha,
” 1- Jisko Dua mil gayi wo qubuliyat se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta’aala farmate he’n,
” mujhse Dua maango, me tumhari dua qubool karunga, ”
2- Jisko Shukr mil gaya wo zyadti se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta’aala farmate he’n,
” Agar tum shukr karoge to fir me tumhari ni’amato me izaafa karunga, ”
3- Jisko Astagfar mil gaya wo magfirat se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta’aala irshad farmate he’n,
” Apne Rab se bakhshish chaho wo bahut maaf karne wala he,
4- Jisko Toba mil gayi wo qubuliyat se mehroom nahi raha,
isliye k Allah ta’aala irshad farmate he’n,
” Allah ta’aala wo he Jo apne Bando ki toba qubool karta he,”
Kanzul Ummaal, 15/874
Next -87 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 87☆★
87-Har Namaz se pehle 10 Martaba Astagfaar kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Umme Raaf’a Raziyallahu Anhua se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab tum Namaz ke liye khade ho to
10 martaba subhanallah kaho aur
10 martaba Laa ilaaha illallah kaho aur
10 martaba Astagfirullah kaho,
Subhanallah ke jawab me haq ta’aala Shanh farmate he’n Ye mere liye he
Aur Jab tumne Laa ilaaha illallah kaha to haq ta’aala Shanh irshad
farmate he’n Ye mere liye he
Aur jab tumne Astagfirullah kaha to haq ta’aala Shanh irshad farmate he’n mene tumhari magfirat kar di,”
( 10 martaba Astagfirullah kehne per jawab me 10 martaba irshad hota he mene teri magfirat kar di)
Kanzul Ummaal, 7/531
Next -88 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 88☆★
88- Shabe Bara’at me Maafi maangiye, Gunaah maaf 
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Ali karamullah Vajhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab Shabaan ki 15 vi raat aaye to is raat me Allah ke huzur Nawafil padho, is din ko roza rakho kyuki is raat gurube aaftaab hote hi Allah ta’aala ki khaas tajalli aur rehmat pehle asmaan per utar aati he aur wo irshad farmata he,
” Hey koi Banda Jo mujhse bakhshis aur magfirat talab kare aur me uski magfirat ka faysla karu,
Koi Banda he Jo Rozy maange aur me usko Rozy dene ka faysla karu,
Koi batlaye musibat Banda he Jo mujhse Sahat aur Aafiyat ka sawaal kare aur me usko Aafiyat ataa karu, ”
is tarah mukhtlif qism ke haajatmando ko Allah pukaarta he k wo is waqt mujhse apni haajate maange aur me ataa karu,
Guroob aftaab se lekar subeh sadiq tak Allah ta’aala ki rehmat isi tarah apne Bando ko pukaarti rehti he, ”
Ravaah Ibne maaja kazafi al targeeb, 2/119
Next -89 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -89 ☆★
89- Bando ki Bimari Gunaah aur Uska ilaaj Astagfaar he
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” kya me tumko tumhare marz aur tumhari davaa ke bare me na batau’n?
Gor se suno!  Tumhara marz gunaah he aur tumhari davaa astagfaar he, ”
Kanzul Ummaal, 1/479
Next -90 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 90☆★
90- Jiska Dil Allah ke Raaste me Kapkapaya, uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Salman Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab musalman ka dil Allah ke raaste me kapkapane lage to uski khataye ese jhadti he jese khajoor ke khoshe ( tez hawa ke chalne se) gir jate hai’n,
Kanzul Ummaal, 4/280
Next -91 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -91 ☆★
91- Jo log Sirf Razae ilaahi ke liye Allah ko Yaad karte he’n, Unke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k
Jo bhi Qom jama hokar Allah ka zikr karti he aur maqsood Allah ki raza hi hota he to Asmaan se ek Farishta nida karta he:
” Khade ho jao tumhari magfirat kar di gayi aur tumhari buraiyo ko nekiyo se tabdeel kar diya gaya, ”
Kanzul Ummaal, 9/133
Next -92 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 92☆★
92- Jume ki Raat me Surah Yaseen Padhiye,Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jisne  Shabe Juma me Surah Yaseen padhi uski magfirat kar di ja’egi,”
Targeeb, 1/514
Next -93 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -93 ☆★
93- Juma ki Namaz ke baad Surah Fatiha, Surah ikhlaas aur Surah Mauzateen 7-7 martaba Padhiye, Saare Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Juma ki namaz ke baad
Qul huvallahu Ahad,
Qul A’uzu birabbil Falaq,
Qul A’uzu birabbin Naas,
Saat saat  martaba padhe to Allah Rabbul izzat Aa’inda juma tak burai se panah me rakhenge, ”
( Maasi ke irtkaab se badhkar Aadmi ke liye konsi burai ho sakti he)
Ibne Sunni Fi Amalal Yaum val Laylah, 1/145
Aur Qaseeri ki rivayat me alfaaze hadees is tarah he’n –
” Jo shakhs Juma ke din imaam ke Salaam ferne ke baad usi haalat me Bethe hue
Surah Fatiha,
Qul huvallahu Ahad,
Qul A’uzu birabbil Falaq,
Qul A’uzu birabbin Naas,
Saat saat martaba padhe to uske angle pichhle gunaaho ki magfirat kar di ja’egi,
Aur jitne log Allah aur Qayamat ke din per imaan rakhte he’n unke adad ke baqadr usko ajr ataa kiya ja’ega, ”
Next -94, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 94☆★
94- Ni’amat milne per Allah ki Baar Baar Taareef kijiye, Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate he’n k  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah jal jalalhu apne Bande ko koi ni’amat ataa farmate he’n Fir Banda Allah ki taareef karta he to usne us ni’amat ka shukr adaa kar diya,
Fir agar doosri martaba ” Alhamdulillah” kahe to Allah ta’aala uske sawab ki tajdeed farma dete he’n,
Fir agar teesri martaba” Alhamdulillah” kahe to Allah ta’aala uske Gunaaho ki magfirat farma dete he’n,”
Kanzul Ummaal, 3/253
Next -95 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 95☆★
95- Gafileen ke Majm’a me Allah ko Yaad kijiye, Saare Gunaah maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Gafileen ke majma’a me Allah ka zikr karne wala us sarsabz darakht ki tarah he Jo sukhe darakhto me ho,
Gaafil logo me Allah ka zikr karne wala us chiraag ki tarah he Jo andhere ghar me rakha hua ho,
Aur gaafil logo ke majma’a me Allah ta’aala ka zikr karne wale ko Allah ta’aala uski zindgi me hi jannat me uska thikana dikha denge,
Har insaan aur jaanwar ki tadaad ke muwafiq Allah ta’aala uski magfirat kar denge,
Aur gafileen me Allah ta’aala ka zikr karne wale ki taraf haq ta’aala Shanh esi nazar se dekhenge k kabhi bhi usko azaab nahi denge,
Bazaar me Allah ta’aala ka zikr karne wale ke liye uske har Baal ke badle qayamat ke din noor hoga, ”
Ravaah Beyhqi, 2/532
Next -96 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -96 ☆★
96- Mayyat ko Gusl dijiye aur uske Uyoob chhipaiye, Aapke 40 Kabeera Gunaah Maaf,aur Qabr khodne ka Sawab
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Raaf’a Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs mayyat ko gusl deta he aur uske satar ko agar koi ayb paye to usko chhipata he to Allah ta’aala uske 40 bade gunaah maaf farma dete he’n,
Aur Jo apne bhai ki ( mayyat ) ke liye qabr khodta he aur usko usme dafan karta he to goya usne ( qayamat ke din) dobara zinda uthaye jane tak usko ek makaan me thehra diya yani usko is qadar ajr milta he jitna k us shakhs ke liye qayamat makaan dene ka ajr milta he,”
Ravaah Tabrani, Majma uzzawaid, 3/114
Next -97 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─. : ┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -97 ☆★
97-Marhoom ki Tareef kijiye, Marhoom ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jo log kisi ki Namaze Janaza padh li aur Mayyat ke bare me kalmaate khair kahe to haq ta’aala Shanh irshad farmate he’n,
” inki gawahi ko inke ilm ke mutabiq nafiz kiya aur Jo ye nahi jaante uski bhi magfirat karta hu’n, ”
Kanzul Ummaal, 15/583
Next -98 in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART -98☆★
98- Do padosi Gawahi de k Marhoom bhala Aadmi tha, Marhoom ke Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Jab Banda momin inteqal Kar jaye aur uske 2 padosi ye keh de k Ye shakhs bada bhala tha iske alawa hum kuchh nahi jaante, halaki wo ilme khudawandi me iske bar aks tha to haq ta’aala Shanh farishto se irshad farmate he’n,
” Mere Bande ke bare me mere Bande ki gawahi qubool kar lo, mere ilm ke mutabiq ye jesa bhi tha usse darguzar karo, ”
Kanzul Ummaal, 15/685
Next -99 in sha Allah Ta’aala,
 
┄─━═════▤▤═════━─┄
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
       ★☆ PART – 99☆★
99- Jisne har Juma ko apne Maa Baap ya unme se ek ki Qabr ki ziyarat ki, Uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jo shakhs Juma ke din apne Walden ya unme se kisi ek ki qabr ki ziyarat kare to uski magfirat kar di ja’egi, aur usko farmabardar likha jaa’ega, ”
Kanzul Ummaal, 17/468
Next -100, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄   
♝BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM♝
   Guldasta -E -Magfirat
     ( Mayoos Kyu Khada He)
      ★☆ PART -100 ☆★
100- Jiski Namaze Janaza 100 Aadmiyo ne Padhi, Uske Gunaah Maaf
         ⇩⇩⇩⇩⇩
⇨ Hazrat Ibne Umar  Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jis Mayyat ki 100 Aadmi Namaze janaza padh li Allah ta’aala us Mayyat ki magfirat farma dete he’n,”
Tirmizi, 1/122
Next -101, in sha Allah Ta’aala,
┄─━═════▤▤═════━─┄

Post a Comment

0 Comments