*✭﷽✭*
╭┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╮
*JAGAH JI LAGANE KI DUNIYA NAHI*
╰┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╯
*╠☞ Duniya'n Ki Zaibo Zeenat tark
Karne Ki Hidayat_,*
*✭﷽✭*
╭┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╮
*JAGAH JI LAGANE KI DUNIYA NAHI*
╰┅━┅━┅┅━─────━┅┅━┅━┅╯
*╠☞ Duniya'n Ki Zaibo Zeenat tark
Karne Ki Hidayat_,*
❀__ Zere bahas Hadees ke Aakhir mai Khulasa ke Tor per ye Jumla irshad farmaya Gaya k _," Jis Shakhs ko Akhirat mai Kaamil Tor per Kamyaabi Ka ummedwaar ho use Duniya ki Zaibo Zeenat se dil hatana hoga aur poori tavajjoh Akhirat ki taraf karni padegi ,Allah Ta'ala ne Qur'ane Kareem mai Jabaja Duniya ki Zindgi ki be waq'ati ko waaze farmaya hai ,ek jagah ( Surah An'am -32) irshad hai :-
"_Aur Duniyavi Zindgani to kuchh bhi nahi bajuz lahu v la'ib ke aur Akhirat Ka Ghar muttaqiyo ke liye behtar hai Kya tum Sochte samajhte nahi ho _,"
❀__Ek Doosri Aayat ( Surah Ankaboot -64) mai irshad Hai:-
"_Aur ye Duniyavi Zindgi Fi nafsa bajuz lahu v la'ib ke aur Kuchh bhi nahi aur Asal Zindgi Aalame Aakhirat hai ,Agar inko iska ilm hota to esa na karte _,"
❀__Aur Surah Hadeed- Aayat -20 mai mazeed wazahat ke Saath elaan farmaya -
"__ Tum khoob Jaan lo k Akhirat ke muqable mai Duniyavi Zindgi Mahaz lahu v la'ib aur El Zaahiri Zeenat aur Ba- ham ek doosre per Fakhr Karna aur Maal aur Aulaad mai ek Ka doosre se Apne ko zyada batlana hai , Jese Baarish barasti hai k uski paidawaar kaashtkaaro ko achchhi Maloom hoti Hai fir Woh Khushi ho jati hai so Tu usko zard dekhta hai fir Woh choora choora ho jati hai aur Akhirat Ka haal ye hai k usme ( kaffare ke liye ) Sakht Azaab hai aur ( Ahle imaan ke liye ) Khuda ki taraf se magfirat aur Razamandi hai aur Duniyavi Zindgi Mahaz dhoke Ka Asbaab hai _,"
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniyavi Zaibo Zeenat ki Misaal _,*
❀__Qur'ane Kareem mai Ka'i Jagah Duniya Ki na paydaari ko waaze misaalo ke zariye samjhaya gaya hai , *(Surah Yunus -Aayat -24 mai)* irshad hai :-
"__ Duniya ki Zindgi ki Wohi Misaal hai Jese Humne Paani utaara Asmaan se , Fir isse Zameen Ka sabza Jisko Aadmi aur Jaanwar Khaate hai'n gunjaan ho Kar nikla, Yaha'n Tak k Jab wo Zameen Apni Ronaq Ka poora hissa le chuki aur uski khoob Zaiba'ish ho gayi aur iske Maliko ne samajh liya k ab hum is per bilkul qaabiz ho chuke to Din mai Ya Raat mai is per Hamari Taraf se koi Hukm ( Azaab ) aa pada So humne isko esa Saaf Kar Diya k Goya Kal Woh Mojood hi nahi thi , Hum isi tarah Ayaat ko Saaf Saaf Bayan karte hai'n ese Logo'n Ke Liye Jo Gaur Karte Hai'n _,"
❀__Yani Jis tarah Zameen Barish ke Baad Shadaab Nazar aati hai Magar ye Shadaabi Aarzi hai ,Agar koi Aafat is per Naazil ho Jaye to iski Ronaq minato Secondo mai Kafoor ho jati hai,Yahi haal Duniya ki Zaibo Zeenat ka hai k Wo Mahaz waqti hai Chand Dino mai ye Ronaq be ronaqi mai Tabdeel ho Jane wali hai ,
❀__Duniya ki Khaiti Ka Anjaam yahi hai k Uske Pak Jane ke Baad use kaat Kar tukde tukde Kar diya Jata hai aur fir uska Bhus Hawa mai udta firta hai, Yahi haal is Duniya aur iske Maalo Mata'a aur Khazano Ka hai k ek Din Wo aane wala hai Jab Poore Aalam ko Tahas Nahas Kar diya jayega aur mamooli cheezo Ka to Kya poochhna bade bade Zabardast Pahaad dhuni Hui Roo'i ki tarah ude Ude firenge ,Lihaza Esi fana ho Jane wali Cheez mai Ji Lagana aur Din Raat bas isi ki dhun aur fikr mai rehna Aqalmandi Ka Kaam nahi hai ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Allah Ta'ala ki Nazar mai Duniya Ki Haisiyat _1,*
❀__ Tamaam Duniya aur iski Ni'amate Allah ki nazar mai qat'an be waq'at aur be haisiyat hai , isliye Allah Ta'ala Duniya ki Ni'amate Kuffaar ko poori farawani se marhamat Farmata hai aur Unka Kufr v Shirk un Ni'amato ke husool mai maane nahi ,Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai :-
"__ Agar Allah Ta'ala ki nazar mai Duniya ki haisiyat Machchhar Ke Par le barabar bhi hoti to isme se Kisi Kaafir ko ek Ghoont Paani bhi Naseeb na Farmata _,"
* Tirmizi Sharif-*
❀__Ek Martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saath tashreef le ja rahe they to Raaste mai Bakri Ka ek murdaar Bachcha Nazar pada to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Raziyallahu Anhum se poochha k Kya Khayal hai is Bachche ke Ghar walo ne ise be Haisiyat samajh Kar Yaha'n faink diya hai , Sahaba Raziyallahu Anhum ne iski Taa'id farmayi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Allah Ta'ala ke Nazdeek Duniya is Bakri ke Bachche ke Apne Ghar walo ki nazar mai zaleel hone se zyada be haisiyat aur be waq'at hai _,"
* Tirmizi Sharif- 2/58*
❀__Aur Ek Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Beahak Duniya Khud bhi qabile Laanat hai aur isme Jo Cheeze hai'n Wo bhi qabile Laanat hai'n , Sivaye Allah Ta'ala ke zikr aur usse Mutalliq A'amaal ke aur Sivaye Aalim aur Muta'llim Ke _,"
* Tirmizi Sharif-2/54,*
★__ Yani Duniya mai Reh Kar agar insaan Allah se Gaafil aur Akhirat se be parvaah ho Jaye to ye k Duniya ki poori Zindgi aur uski Saari Ni'amate insaan ko Laanat ke toq mai mubtila karne wali hai'n ,Lihaza Duniya se bas itna Talluq rehna chahiye Jitni uski zarurat hai ,
"_Isliye k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Duniya aur Akhirat ki Zindgi ka muqabla is tarah Karo k Ek Taraf to Mahaz ek ungli mai laga hua Paani Ka qatra ho aur Doosri taraf poora Ka poora Samandar ho Jiski athaah Ka koi andaza nahi , To ye qatra poori Duniya ki Zindgi hai Jo nihayat mehdood hai aur ye Samundar ki Misaal poori Akhirat hai Jo La Mehdood aur La Zawaal hai _,"
* Tirmizi Sharif-2/58*
"__Isliye Duniya mai Jitne Din rehna hai Utni Fikr yaha'n ke bare mai ki Jaye aur Akhirat mai Jitne Din rehna hai Utni Fikr waha'n ki karni Laazim hai ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Kuffaar Ki Shano Shoqat dekh kar Pareshan na ho _,*
❀__ Aam Tor per Duniya mai Kuffaar ki Shaan v Shoqat ,Maal v Daulat aur Zaahiri aysho Araam dekh kar log Unki hirs karne mai pad Jate hai'n ya Dil tang ho Jate hai'n aur Ahsaase kamtari Ka shikaar ho Jate hai'n Aur Unki Daud mai Shamil hone ke liye Halaal v Haraam mai Tameez khatm Kar dete hai'n, Jesa k Aaj Kal ke Naamo nihaad v Daanishwaro Ka haal hai , To Unki tambeeh ke liye Allah Ta'ala ne irshad farmaya:- *_Surah Aal-e-Imran, Aayat 196-197,*
*"__لَا يَغُرَّنَّكَ تَقَلُّبُ الَّذِينَ كَفَرُوا فِي الْبِلَادِ ,مَتَاعٌ قَلِيلٌ ثُمَّ مَأْوَاهُمْ جَهَنَّمُ وَبِئْسَ الْمِهَادُ _,*
*"_ (Tarjuma )* _ Aapko Dhoka na de Kaafiro Ka Shehro mai Chalna firna ye faayda hai thoda sa, fir inka thikana Dozakh hai Aur Wo Bahut bura thikana hai _,"
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya se Ba Qadre Zarurat Hi Faayda Uthana Chahiye _,*
❀__ Duniya aur uski Sab chamak damak Mahaz Aarzi hai ,insaan ki Zindgi mai agar koi Ni'amat Mayassar aa Jaye to Koi zamanat nahi k Woh Aakhri dam Tak baqi bhi rahe , isliye k Duniya tagayyur pazeer hai ,Maal, Sahat ,izzat aur Aafiyat ke aitbaar se Logo'n Ke Halaat Badalte rehte hai'n , Lihaza Duniya ki badi se badi Kahi Jane wali Ni'amat bhi na payedaar hai aur isse faayda uthane Ka silsila yaqinan khatm ho Jane Wala hai , Agar Zindgi mai na hua to Marne ke Baad yaqinan ho jayega ,Marne ke Baad na Bivi Bivi rahegi na Maal Maal rahega na Jaydaad aur Khaiti Baadi Saath hogi , in Sab ashya Ka Saath Chhoot jayega , isliye Qur'an v Hadees mai insaano ko hidayaat di gayi hai k Duniya ki Zaibo Zeenat ko maqsad na banaye balki uske muqable mai Akhirat ki la zawaal Ni'amate haasil karne ki jaddo jahad aur fikr karni chahiye ,
❀__ Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k ,"_ Is Maal mai badi mithaas hai ,Jo isko Sahi jagah kharch Kare to uske liye ye Behtreen madadgaar hai ,aur Jo ise Galat Tareeqe per kamaye to Wo us Jaanwar ki maanind halaak hoga Jo barabar khaata rehta hai aur uski Bhook kabhi khatm nahi hoti ( Bil Akhir Wo haiza se halaak ho jata hai ) _,"
*( Bukhari Sharif -2/951 ,Muslim Sharif-1/ 336),*
"__ Aap Sallallahu Alaihivasallam ke is Mubarak irshad se Duniya ke istemal ki Asal had Maloom ho gayi k Duniya se sirf ba Qadre Zarurat aur bara e zarurat hi faayda uthana mufeed hai , Isme esa istemal k bas Aadmi 99 hi ke chakkar mai har Waqt mubtila rahe Aur Akhirat ko bilkul Bhool bethe ye intehayi khatarnaak hai ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Halaal Tareeqe Se Duniya Kamane Wale Ko Khush khabri_,*
❀__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Doosri Hadees mai irshad farmaya k , "_ Jo Shakhs Halaat Tareeqe se ,Sawaal se bachne ,Ghar walo ki zarurat poora karne aur Apne Padosiyo per Meharbani karne ki garaz se Duniya Talab Kare to wo Qayamat mai is Haal mai aayega k uska chehra Chohdhvi ke Chaand ki tarah chamakta hua hoga Aur Jo Shakhs Fakhr v mubahaat aur Naamvari ke liye Duniya kamaye to Wo Allah Ta'ala ke darbaar mai is Haal mai Haazir hoga k Allah Ta'ala us per Gussa honge _,"
* Sho'abul imaan -7/ 298,*
"__ Lihaza Hume chahiye k Allah Ta'ala se Sharmo Haya ke Taqazo ko poora karne ke liye hum Duniya se Talluq uski had ke andar Reh Kar rakhe aur usse tajavuz na Kare ,Allah Ta'ala Hume tofeeq marhamat farmaye , Aameen.
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya Aafiyat Ki jagah hai hi Nahi _,*
❀__ Duniya mai koi Shakhs ye daava nahi Kar Sakta k Wo Mukammal Tor per Aafiyat mai hai , Kyunki yaha'n har Shakhs ke saath kuchh na kuchh ese masle lage hue hai'n Jo baar baar uski Aafiyat mai khalal daalte rehte hai'n aur is maamle mai Ameer Gareeb ,chhote bade ,Badshaah ya Ri'ayaa kisi mai koi Fark nahi hai ,
"_ Balki gor Kiya Jaye to Duniya mai Jo Shakhs Jitne bade Ohde per faa'iz hota Hai ya Jitna bada Maaldaar ya izzatdaar hota Hai Utna hi uske zahan per tafakkuraar aur Khatraat Ka Bojh hota Hai , Ese logo ki Jaan ke laale pade rehte hai'n, Har Waqt Commander ki nigrani mai rehte hai'n , Azaadana Apni Marzi se Kahi aana Jana Unke liye mushkil hota Hai, Fir har Waqt Badaa'i Jate rehne ke Khof se Unki Neende Haraam ho jati hai ,poori poori Raat Naram aur nazuk gaddo per karwate badalte guzar jati hai ,
❀__ Aur Farz kijiye agar insaan bilkul hi Aafiyat se ho ,Maal Daulat izzat aur har lazzat ke husool Ka uske paas intezam ho fir bhi Wo poori tarah Aafiyat mai nahi ho Sakta , Kyunki Bhook ke Waqt use Bhook se aur pyaas ke Waqt Pyaas see saabqa padega aur Khaane pine ke Baad fir fizulaat ko nikaalne ki fikr hogi aur Uske taqaze ke Waqt becheni bardasht karni hogi , Agar ye fizulaat andar ja Kar ruk Jaye to fir unko nikaalne ke liye Kya tadbeere karni padegi, Algaraz Sab kuchh hone ke bavjood in fitri Masa'il Se insaan marte dam tak Nijaat nahi pa Sakta ,
❀__Iske bar khilaf Jannat Asal mai Aafiyat ki jagah hai, Jaha'n har tarah ki man chaahi Ni'amate Mayassar hogi aur Khaane pine ke Baad Ek hi Khushbudaar dakaar se Saara khaya piya hazam ho jayega , na becheni hogi na takleef aur na badbu Ka Ahsaas hoga, isliye Us Azeem Aafiyat ki jagah ko hi Asal Maqsood v Talab banana chahiye aur Duniya ki Zaibo Zeenat mai pad kar Jannat se gaafil nahi hona chahiye ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya Momin Ke Liye Qaidkhana hai _,*
❀__ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Duniya Momin Ke Liye Qaidkhana hai aur Kaafir Ke Liye Jannat hai _,"
* Muslim Sharif- 2/407*
❀__ Isliye Momin Ka Asal thikana Jannat hai jaha Asal Aafiyat hai ,Is Asal thikane ke muqable mai Duniya ki Zindgi Qaidkhane se Kam nahi hai, Jaha'n insaan tarah tarah qanoon Ka paband hai aur iske bil muqabil Kaafir ko Aakhirat mai Sakht Tareen Azaab Ka Saamna karna hai , Lihaza Waha'n ke Azaab ke muqable mai jab Tak uski Jaan mai Jaan hai aur Jab Tak use Duniya mai Azaab se mohlat mili Hui hai Wo uske liye Jannat ke darje mai hai ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya Ki Muhabbat Har Buraa'i Ki Jad Hai _,*
❀__ Duniya se esa Talluq Jo Aakhirat se gaafil Kar de Yahi Tamaam Gunaaho aur Ma'asi ki Jad aur Buniyad hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :-
"_ Duniya ki Muhabbat har Buraa'i ki Jad hai _,"
* Sho'abul imaan-7/338,*
❀__ Gor Karne se ye Baat Asaani se samajh mai aa jati hai k Duniya mai Jo Shakhs bhi Gunaah karta Hai Uska Asal muharrik Duniya se Talluq hi hota hai , Maslan Kisi ka Maal Na-Jaa'iz Tor per haasil Kare ya lahu v la'ib mai mubtila ho ya Badkaari aur Haraam kaari ke Raaste per chale ye Sab cheeze Duniya se Muhabbat hi ki vajah se Saamne aati hai,
"__ Sayyadna Iysa Alaihissalam ne irshad farmaya:- Duniya ki Muhabbat har Buraa'i ki Jad hai aur Maal khud hi mareez hai , Aapse Puchha gaya k Maal Ka marz Kya hai ? To irshad farmaya k jab Maal aata Hai to insaan Takabbur v Fakhro Guroor v Mubahaat se bahut Kam mehfooz reh pata hai , aur agar bil Farz in Baato se mehfooz bhi reh Jaye fir bhi is Maal ke rakh rakhaav ki fikr insaan ko Allah Ta'ala ki Yaad se mehroom Kar hi deti hai _,"
* Sho'abul imaan -7/ 338,*
❀__Isi Bina per Awliya Allah ki Shaan ye hoti Hai k Unka Dil Duniya ki Muhabbat se Khaali hota Hai, Ek Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai :-
"__ Jab Allah Ta'ala Apne Kisi Bande se Muhabbat farmata hai to usko Duniya se is tarah bachata hai Jese Koi Shakhs Apne mareez ko ( Sardi Ki Bimaari Ke Waqt ) Paani se bachata hai _,"
* Sho'abul imaan - 7/ 338,*
"__ isliye k Duniya se Talluq Allah Ta'ala se taqarrub mai Sabse Badi Rukawat hai , isi Bina per Allah Ta'ala Apne Khaas Bando ko Duniya ki Muhabbat se poori tarah mehfooz rakhta hai ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya se Talluq Akhirat Ke Liye Muzir Hai _,*
❀__ Duniya se Talluq aur iski lazzato mai inhimaak Ba-Zaahir Bahut Achchha Maloom hota hai aur Bahut se log bas Duniyavi laazato hi ko Apna maqsad bana lete hai'n Lekin unhe Maloom nahi k Duniya mai ye WaQti Lazzate Akhirat ki Daaymi Ni'amato mai kami aur nuqsaan Ka Sabab hai'n Jo dar Haqeeqat Azeem Tareen nuqsaan hai ,
❀__Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jo Shakhs Apni Duniya mai Ji lagaye Wo Apni Akhirat Ka nuqsaan Karega aur Jo Shakhs Apni Akhirat se Muhabbat rakhe ( aur iske bare mai fikrmand rahe ) to wo sirf Apni Duniya Ka ( WaQti ) nuqsaan Karega _," *( Bayhiqi Fi Sho'abul imaan-7/288, Majmauz Zawa'id-10/249)* ... Lihaza baqi rehne wali Akhirat ki Zindgi ko Duniya ki Faani Zindgi per tarjeeh diya Karo ,
❀__Ek aur Rivayat mai irshad hai :- Duniya mai meethi Cheez Akhirat mai kadwahat Ka Sabab hai aur Duniya ki Kadwi Zindgi Akhirat mai mithaas Ka Sabab hai _" *( Sho'abul imaan-7/288, Majmauz Zawa'id-10/249)*
"❀__ Chunache Kitne log ese hai'n Jo Duniya mai nihayat Aysh v ishrat Araam v Raahat mai Zindgi guzaarte hai'n Lekin yahi gaflat wali Zindgi Unke liye Akhirat mai Sakht Tareen Azaab Ka Sabab ban jayegi , Aur isi tarah Kitne Allah ke Bande ese hai'n Jinki Zindgi Duniya mai nihayat tangi ke Saath guzarti hai lekin un Azma'isho mai Sabr ki badaulat Unka muqaam Akhirat mai is qadar Buland ho jayega Jiska Duniya mai tasavvur bhi nahi Kiya ja sakta, isliye Hamesha Akhirat banane ki fikr Laazim hai ,
"__ Ek Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jis Shakhs ke Dil mai Duniya ki Muhabbat Ghar Kar jaye to teen Baate usko chipat jati hai (1) Esi bad Bakhti Jiski Musibat kabhi khatm nahi hoti (2) Esi Hirs Jisse kabhi pet nahi bharta (3) Aur Esi khwahish Jo kabhi sharminda takmeel nahi hoti , Pas Duniya ( kisi ke liye ) talabgaar rahe Aur ( koi ) uska talabgaar rahe , Lihaza Jo Shakhs Duniya ke Pichhe Padta hai to Akhirat uska pichha pakad leti hai Yaha'n Tak k uski Maut aa jati hai aur (iske bar aks ) Jo Akhirat Ka talabgaar hota Hai to Duniya uska pichha karti Hai yaha'n Tak k Wo Apne muqaddar Ka rizq haasil Kar Leta hai _," *( Ravaah Tabrani , Targeeb ,*
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya Ki Muhabbat Dili Be itminani Ka Sabab Hai _,"*
❀__ Duniya se Talluq jab badhta hai to Saath mai Dili Be itminani bhi badhti jati hai aur Tamaam tar Asbaab v Wasa'il muhayya hone ke bavjood insaan sukoon se mehroom rehta hai , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Duniya Jis Shakhs ki maqsood ban Jaye to Allah Ta'ala uske Mamlaat paraganda ( Pareshan ) farma deta Hai'n Aur Mohtaajgi uski Aankho ke saamne Kar deta hai aur use Duniya mai Sirf isi qadar milta hai Jitna uske muqaddar mai hota hai aur ( iske bil muqabil ) Akhirat Jiska Nasbul Ayn hoti Hai to Allah Ta'ala uske Dil mai Gina ( Use Faqr Ka Khof nahi hota ,Uske Dil ko Badshaah bana deta hai ) daal deta hai'n aur Uske Mamlaat ko mujtama farma deta hai'n aur Duniya uske Paas Zaleel ho Kar aati hai _,"
* Sho'abul imaan-7/288,ibne Maaja, Targeeb v Tarheeb-4/56,*
❀__Aur Ek Hadees Qudsi mai Allah Ta'ala ne irshad farmaya :-
"_ Ey insaan ! Meri Bandgi ke liye Yaksu ho ja to Mai'n Tere Seene ko Gina se bhar dunga aur Teri Zarurat poori Kar dunga aur agar tune esa nahi Kiya to Mai'n Tere Seene Ko Mashguliyat se bhar dunga aur teri Mohtaajgi door nahi Karunga _,"
"_ Ey insaan ! Meri Bandgi ke liye Yaksu ho ja to Mai'n Tere Seene ko Gina se bhar dunga aur Teri Zarurat poori Kar dunga aur agar tune esa nahi Kiya to Mai'n Tere Seene Ko Mashguliyat se bhar dunga aur teri Mohtaajgi door nahi Karunga _,"
* Sho'abul imaan - 7/289,*
"__ isliye Dili itminaan ke husool ke liye bhi zaruri hai k Duniya se Talluq aitdaal ki had mai rahe Aur agar talluq had se bad jayega to fir mehroomi hi mehroomi hai ,
❀__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:- Chaar cheeze Bad Bakhti ki Alaamat hai'n (1) Aankh se Aansu na nikalna (2) Dil Ka Sakht hona (3) Lambe Mansoobe baandhna (4) Duniya per Harees hona _,"
* Majmu'az Zawa'id-10/226 ,*
*╂───────────╂*
*╠☞ Shoqeen Mizaaj Log Allah Ko Pasand nahi _,*
❀__ Shoqeen Mizaaj aur Fashion Parast Log Allah ki nazar mai Pasandida nahi hai'n , Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ese Logo ko Ummat ke Badtareen Afraad mai Shumaar farmaya hai , Irshade Nabvi hai :-
"__ Meri Ummat ke Badtareen Log Wo hai'n Jo Naazo Ni'amat mai Paida hue aur isi mai Pale badhe ,Jinko Har Waqt bas Anw'a v Aqsaam ( tarah tarah ke qimti Qism ke ) khaano aur Tarah tarah KE Libaas Zaib tan ( Pehanne ) Karne ki fikr daaman geer rehti hai aur Jo ( Takabbur ki vajah se ) Mithaar Mithaar Kar Baat cheet Karte rehte hai'n _,"
* Kitabul Zuhad ibne Mubarak -263,*
❀__ Sayyadna Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu Ka irshad hai k - Tum ( Zaibo Zeenat ke liye) baar baar Gusl khaano le chakkar lagane aur Baalo ki baar baar Safaa'i se bachte raho aur Umda umda qaalino ke istemal se bacho , isliye k Allah Ta'ala ke Khaas Bande Aysho ishrat ke Dildaada nahi Hote _,"
* Kitabul Zuhad -263 ,*
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya Se Be Ragbati Mojibe Sukoon Hai _,*
❀__ Duniya mai Reh Kar Duniya mai Madhosh na rehna insaan Ke Liye Sabse bada Sukoon Ka zariya hai ,Esa Shakhs Zahiri Tor per Kitna hi Khasta Haal Kyu na ho Magar use Androoni Tor per Wo Dili itminaan Naseeb hota hai Jo bade bade Sarmaya Daaro ko bhi Mayassar nahi aata , isliye Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Duniya se Be Ragbati Dil aur Badan Dono Ke Liye Raahat Hai _,"
* Kitabul Zuhad-210, Majmauz Zawa'id-10/286,*
❀__Duniya mai Sabse Badi Daulat Sukoon aur Aafiyat hai ,Agar Sukoon na ho to Sab Daulate bekaar hai'n aur Ye Sukoon Tab hi mil Sakta Hai jab hum Duniya se Sirf Ba Qadre Zarurat aur Bara'e zarurat Talluq rakhe aur Allah ki Ni'amato per Shukr Guzaar reh Kar uski Raza per Raazi rahe'n ,
❀__Hazrat Luqman Alaihissalam ne irshad farmaya - Deen per Sabse Zyada Madadgaar Sift Duniya se Be Ragbati hai , Kyunki Jo Shakhs Duniya se Be Ragbat ho jata Hai Wo Khaalis Raza e Khudawandi ke liye Amal karta hai aur Jo Shakhs ikhlaas se Amal Kare usko Allah Ta'ala Ajro Sawab se Sarfaraz farma deta Hai_,"
* Kitabul Zuhad-274,*
"__ Ye Sift e Zuhad insaano ko logo Ka Mehboob bana deti Hai aur ese Shakhs ko qubuliyat indallaah aur indannaas Daulat Naseeb hoti hai _,,
*╂───────────╂*
*╠☞ Qana'at Daa'imi Daulat Hai _,*
❀__ Kasrat Ki fikr ki bajaye Ata e Khudawandi per Raazi rehna Qana'at kehlata hai aur Jis Shakhs ko ye Qana'at ki Daulat Naseeb ho Jaye Wo har haal mai magan rehta hai ,Fir Wo kabhi ahsaase Kamtari mai mubtila nahi hota aur na doosre ki hirs karta Hai, Ek Hadees mai irshade Nabvi hai :-
"__ (Jis Shakhs ko Teen Sifaat haasil ho gayi ) Wo Fala pa gaya (1) Jo islam se musharraf ho (2) Jise ba Qadre Zarurat rozi milti ho (3) aur Allah ne use Apne diye hue rizq per Qana'at se nawaza ho _,"
* Sho'abul imaan-7/ 290,*
❀__ Ek aur Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Tum Qana'at ko akhtyar Karo isliye k Qana'at esa Maal hai Jo Kabhi khatm nahi hota _,"
* Majmauz Zawa'id-10/256,*
❀__Aadmi Sabse Zyada Apni Aulaad ki rozi ke bare mai fikrmand rehta Hai aur Uske liye pehle hi se intezam Kar ke Jata Hai, Duae'n karta Hai,Mehnad v Jaddo jahad karta Hai, Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne bhi iske mutalliq fikr farmayi ,Bila shubha Agar Aap ye Dua farma dete k Aapke Khandaan Ka har fard Duniya ki har Daulat se be hisaab nawaza Jaye to yaqinan wo Dua Sharfe Qubuliyat haasil Kar jati , Lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Khandaan ke liye kasrate Maal v Daulat ki Dua nahi farmayi balki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Ey Allah ! Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) ke Ahle Khandaan ki rozi quwat ( barabar sarabar ) muqarrar farma de _,"
* Muslim -2/409, Sho'abul imaan-7/291,*
"_ Yani na itni Kam ho k Makhlooq ke saamne Zillat Ka baa'is ho aur na itni zyada ho k Akhirat se gaafil Kar de ,
❀__ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye bhi irshad farmaya k Roze Qayamat Maaldaar aur Gareeb Sabko yahi Hasrat hogi k Unhe Duniya mai barabar sarabar rozi mili hoti _," *( Targeeb -4/81)*
❀__Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :- Allah Ta'ala Apne ata karda Maal KE zariye Apne Bande ko Aazmata hai ,Pas Jo Shakhs Allah ki Taqseem per Raazi rahe Allah Ta'ala use Barkat se nawaazta hai aur usko Wus'at ata Farmata hai aur Jo is per Raazi na rahe ( balki zyada ki hirs kare ) to usko Barkat se mehroomi rehti hai _,"
* Majmauz Zawa'id-10/257,*
"__ Algaraz ye Qana'at aur istagna e intehayi Sukoon aur izzat v Sharf ki Cheez hai ,
❀__ Ek Martaba Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Haazir hue aur farmaya :-
"__ Ey Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) ! Aap Jitna chaahe rahe'n ( Bahar haal ) ek Din wafaat Paani hai aur Aap Jo chaahe A'amaal Kare'n unka Aapko badla mil Kar rehta Hai aur Aap Jisse chaahe ( Duniya mai ) Talluq rakhe'n use ( Bahar haal) Chhod Kar Jana hai , Aur Achchhi tarah Maloom ho k Momin ke liye sharf ki Baat uska Raat ko Namaz padhna hai aur Momin ki Asal izzat ki Cheez uska logo se mustagni rehna hai _,"
* Tabrani Ba Sanad Hasan Majmauz Zawa'id-10/216,*
*╂───────────╂*
*╠☞ Duniya mai Musafir ki tarah Raho _,*
❀__ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek martaba Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne mere Badan Ka Kuchh Hissa Haath mai Pakad Kar irshad farmaya :-
"__ Tum Duniya mai is tarah raho goya k Tum musafir ho _,"
* Bukhari Sharif-2/949,*
❀__ Yani Jis tarah Musafir Raaste mai theharne ki jagah se Dil nahi lagata balki Apni Manzile maqsood Tak pahunchne aur Waha'n ki Aafiyat ke liye har Waqt fikrmand rehta Hai, Isi tarah Momin ko Apne " Musafire Akhirat " hone Ka tasavvur har Waqt zahan mai rakhna chahiye , Ye Esi Azeem Nasihat hai Jo Tamaam Nasihato ko Jami'a hai , Aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki muqaddas Zindgi isi Hidayat ki Amli Tafseer thi ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Shaan _,*
❀__ Khadime Rasool Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Mai'n ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ki qayam gaah per Haazir hua ( Jisme koi Araam ki Cheez nahi thi ) aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ek Khurri ( Khurduri ) Chataa'i per Araam farma they Jiski Sakhti ke nishanaat Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Badane Aqdas per numaya ho rahe they, Mai'n ye manzar dekh Kar ro diya ,
To Aapne farmaya :- Miya'n Abdullah Kyu rote ho ? To Maine Arz Kiya k - Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Ye (Duniya ke Badshaah ) Qaisaro Kisra to Naram v Nazuk resham ke qaleen per lete aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ( dono Jaha'n ke sardaar hone ke bavjood ) is Khurri Chataa'i per Tashreef farma hai'n , ( ya dekh Kar Mujhe Rona aa raha hai ) ,
Is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Abdullah mat ro'o Kyunki Unke liye Duniya hi mai Sab kuchh hai aur Hamare Liye Akhirat ( ki Ni'amate hai'n ) aur Mujhe Duniya se kya Lena Dena , Meri aur Duniya ki Misaal to Esi hai Jese Koi Musafir Sawaar ( Araam ke liye ) Kisi darakht ke niche utar Kar Araam Kare aur Fir Kuchh der Baad use Chhod Kar chalta bane _,"
*At Targeeb v Tarheeb- 4/98,*
❀__ Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ki rehnumayi aur Hidayat ke liye akhtyari Tor per Faqr Ka Raasta akhtyar Kiya aur Apne " Uswah Mubaraka " se Duniya se be Ragbat rehne ki Talqeen farmayi , Jiska Khulasa ye hai k Aadmi Jis Haal mai bhi rahe Akhirat se gaafil na rahe Aur Duniya ki Zaibo Zeenat aur Lahu v La'ib mai mubtila ho Kar Apni Akhirat Ka nuqsaan na Kare ,balki Duniya mai Milne wale Fursat ke lamhaat ko Akhirat ki Kamyaabi ke husool Ka zariya banane ki bharpoor Koshish barabar karta rahe ,
*╂───────────╂*
*╠☞ Sahat Aur Waqt Ki Naqadri ,*
❀__Aam Tor per insaan Allah Ta'ala ki Do Azeem Ni'amato Sahat Aur Waqt ki nihayat Naqadri karta Hai aur in Ni'amato se use Jitna Faayda Uthana Chahiye aur Akhirat mai inke zariye Jitni Kamyaabi haasil karni chahiye usme Sakht Gaflat aur Susti se Kaam Leta hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Do Ni'amate Esi hai'n Jinme Bahut se insaan Khasare mai Hai'n (1) Sahat v Aafiyat (2) Fursat Ke Lamhaat _,"
* Bukhari Sharif- 6142,*
❀__ Is Hadees ki Sharah mai farmate hue Muhaddis ibne Bataal Reh. ne farmaya k Sahat Aur Fursat Ke Lamhaat Allah Ta'ala ki Azeem Ni'amate hai'n, inki qadardaani ye hai k Allah Ta'ala ki ita'at ki Jaye aur Uske Mana karda cheezo se parhez kiya Jaye , Agar isme Kotaahi Hui ( Jisme ibtila Aam hai ) to wo Shakhs Akhirat ke khasare mai hoga ,
❀__Aur Allama ibne Jozi Reh. ne farmaya k Kabhi insaan Sahat mand hota Hai Magar use Fursat nahi milti aur Kabhi Fursat mai hota Hai Magar Sahat Saath nahi deti aur Jab ye Dono cheeze jama ho Jaye to us per Susti gaalib aa jati hai, Lihaza Jo Shakhs Susti ko door kar ke in Ni'amato ko ibaadat v ita'at mai lagaye Wo to faayde aur nafe mai rahega aur Jo Susti mai pad Kar Waqt Zaaya Kar dega uske liye khasaara hi khasaara hai ,
"_'Aur Allama Taybi Reh. ne farmaya k Yu'n Samjhiye k Sahat Aur Waqt insaani Zindgi ka Asal Sarmaya hai ,Ab ye insaan ki samajh hai k Wo inhe kiske haath farokht karta Hai, Agar Allah Ta'ala ke Kaam mai lagaye to Goya k Allah Ta'ala ke haath bech Kar uska Yaqeeni muawza haasil Kar ke Kaamyaab hoga aur agar WaQti Lazzato ya Susti mai inhe Zaaya Kar dega to zaahir hai k Usko Hasrat aur Afsos ke Siva kuchh haath nahi aayega _,
* Fatahul Baari-14/ 276-277,*
*╂───────────╂*
*╠☞ Har Waqt Taiyaar Rahe'n _,*
❀__ isliye Aqalmandi Ka taqaza ye hai k Aadmi har Waqt Aakhirat ke liye taiyaar rahe , Aur Aaj Ka Kaam Kal per na taale ,balki Zindgi mai Jitni bhi Nekiya'n Sameti ja sake Kam se Kam Waqt mai Samet le , Kyunki Pata nahi k fir moqa haath aaye ya na aaye ,
"_ Hazrat Abdullah ibne Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte they- Jab Tu Shaam mai ho to Subeh Ka intezar mat Kar aur Jab Subeh mai ho to Shaam Ka intezar na Kar aur Sahat ke Zamane mai Marz ke Waqt Ka bhi Kaam Kar le ( Yani Sahat ke Waqt A'amaal Ka zakhira jama kar le Jo Marz mai Kaam aaye ) aur Zindgi mai Marne ke Baad ke liye zakhira ikattha Kar le , *( Bukhari Sharif- 2416)*
❀__Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Ek Sahabi ko Nasihat karte hue farmaya :- Paanch Baato ko Paanch Baato se pehle ganimat samjho ,Jawani ko Budhape se pehle, Sahat ko Bimaari se pehle, Maaldaari ko Faqro faaqa se pehle,Fursat ke Lamhaat ko Mashguliyat se aur Zindgi ko Maut se pehle_", *( Fatahul Baari-14/282)*
"__ Is Hadees mai Un Paanch Asbaab ko Bayan kiya Gaya Hai Jinme Madhosh ho Kar insaan Akhirat se gaafil ho jata Hai, To Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ye cheeze Mahaz Aarzi hai'n, Kuchh pata nahi kab inka tasalsul khatm ho Jaye aur fir Baad mai Hasrat ke Siva kuchh haath na aaye , Log Aam Tor per Jawani ke Zamane ko Khail Kood aur Tafrihaat mai Zaaya Kar dete hai'n Halanki ye itna qeemti Zamana hai k isme ibaadat v sawab Budhape ki ibaadat se Kahi'n zyada hai , Ek Hadeese Qudsi mai Allah Ta'ala ibaadat guzaar muttaqi Jawan se Khitaab Kar ke farmata hai k _," Tera muqaam Meri Nazar mai Baaz Farishto ke barabar hai _," *( Kitaabuz Zuhad- 117)*
❀__ Ek aur Rivayat mai Hai k,"_ Jo jawan Duniya ki lazzato aur Lahu v La'ib ko Mahaz Raza e ilaahi ke liye Chhod de to Allah Ta'ala usko" 72 Siddiqeen " Ke barabar Ajr ata Farmata hai _," *( Kitaabuz Zuhad-117)*
"_ Aur pehle ye Rivayat guzar chuki hai k ibaadat Guzaar Jawan ko Maidaane Mehshar mai Arshe Khudawandi ka Saaya ata Kiya jayega ,
❀__ Algaraz ye Nihayat qeemti Zamana Aam Tor per gaflat mai Zaaya Kar diya Jata hai aur is nuqsaan ki parvaah nahi ki jati ,Yahi haal Sahat ,Maaldaari aur Faraag Ayshi Ka hai , Zarurat hai k hum gaafil na rahe balki poori tarah taiyaar Reh Kar Akhirat ki taiyari karte rahe ,Allah Ta'ala Mahaz Apne fazlo Karam se Hume Fikre Akhirat ki Daulat se Sarfaraz farmaye , Aameen.
*╂───────────╂*
*╠☞ Jannat Tak Jane Ka Raasta _,*
❀__ Hazrat Hasan Basri Reh. se mursalan Rivayat hai k Ek martaba Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k- Kya Tumme se har Shakhs Jannat mai dakhil hona chahta hai ? Hazireen ne arz Kiya-Ji Haa'n ! Ya Rasulallah , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ To Apni Aarzue'n mukhtasar Karo aur Maut Har Waqt Apni Aankho ke Saamne rakho aur Allah Ta'ala se is tarah Haya Karo Jese Usse Haya Ka Haq hai _,"
Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz Kiya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Hum Sab Allah Ta'ala se Haya karte hai'n, To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Allah Ta'ala se Haya Ka ye Matlab nahi hai,balki Allah se Haya ye hai k Tum Qabristaano aur Marne ke baad ki boshidgi ko mat bhoolo ,aur Sar ke mutallaqa cheezo ko mat faramosh Karo aur Pet aur usme Jane wali Cheezo se mat gaafil ho aur Jo Shakhs Akhirat ki izzat chahta ho Wo Duniya ki Zaibo Zeenat Chhod de ( Jab Aadmi esa Karega ) to wo Allah Ta'ala se Sharmane Wala hoga aur Us Waqt Wo Allah Ta'ala Ka taqarrub aur Wilayat haasil Kar payega _,"
* Kitaabuz Zuhad -107 ,*
❀__ Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye Paak irshade Aali Musalman ko har Waqt Peshe Nazar rakhna chahiye aur Uska Aapas mai ek doosre se Zikr bhi karte rehna chahiye, Allah Kare k ye Hidayat hamare Dilo'n ki gehraa'i mai Utar Jaye aur Hume ese A'amaal Ki Tofeeq Naseeb ho jis se hum Duniya v Akhirat mai Apne Khaaliq v Maalik ke Mehboob aur muqarrab ban Jaye , Us Qadire mutlaq zaat se kuchh ba'ied nahi k zarre ko Aftaab aur Tinke ko Mahtaab bana de , Na Ahlo ko ahliyat se nawaz de ,Khayr aur tofeeq sirf Usi ke akhtyar mai hai , Hum uski zaat se Daaren Ki Khayro Aafiyat ke Taalib hai'n , Beshak Wohi Duao'n Ka Sunne Wala aur Wohi Aajizo ko Sharfe Qubuliyat se nawaazne Wala hai _,,
*__ Alhamdulillah Mukammal hua _,*
╞━━•Reƒ•━━╞
* Allah Se Sharm Kijiye ,_,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/
*Visit for All updates,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
* Allah Se Sharm Kijiye ,_,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/
*Visit for All updates,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
0 Comments