Qayamat Ke Ahwaal

⚂⚂⚂.        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
         ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             *■ Q A Y A A M A T ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
       *❥ Qayamat Zaroor Aayegi ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Allah Ta'ala ne is Duniya ko Khaas Waqt Tak ke liye Aabaad Kiya hai , Ek din Wo zaroor aane Wala hai Jab Duniya ki Saari ronaq Secondo mai kafoor ho jayegi aur Saara nizaam e Kaaynaat lapet diya jayega , Zarraat Ka to Kya kehna ,Na-qabile taskheer bade bade Pahaad Rooi ke golo'n ki tarah ude ude firenge ,
❀__Suraj aur Chaand Hazaaro saal se roshni dene wale Sitaare Be Noor ho jayenge , Us Waqt Ke Tasavvur hi se Rongte khade ho Jate hai'n aur Badan per Kapkapi Chad jati hai, Qur'an v Hadees mai Qayamat Ka ta'arruf aur us per Yaqeen rakhne per Bahut zor sarf Kiya hai ,
❀__Aur Waqi'a ye hai k Qayamat Ka istehzaar aur Tasavvur hi insaan ko buraiyo'n se mehfooz rakhne per Majboor Kar Sakta Hai , Jabki Qayamat se gaflat insaan ko be Raah Rooi Ka shikaar bana deti Hai , Bahut se Mazhab ke log isiliye gumraah ho gaye k Unke yaha'n Qayamat Ka tasavvur hi nahi , Wo Duniya ki Zindgi ko hi Sab kuchh samajhte rahe aur Jab Unhone agli Zindgi Ka tasavvur qaa'im nahi Kiya to uske liye taiyaari ka bhi koi Matlab baqi na raha ,
"__isliye Islam Ke Buniyadi aur Aham Tareen Aqaa'id mai se Qayamat aur Akhirat per imaan Lana bhi hai , Qur'an e Kareem ki Ayaat Mubaraka aur Ahadeese Tayyaba is silsile ki tazalliyaat se bhari padi hai'n ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
       *❥ Qayamat Kab Aayegi ?❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qayamat Ka Yaqeeni Waqt to Allah Ta'ala ke alawa aur Kisi ko maloom nahi ,Allah Ta'ala Ka irshad Hai :-
"__ Beshak Allah ke paas hai Qayamat Ka ilm _,"
❀__Aur Hadeese Jibraiyl mai hai k Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne jab Aap Sallallahu Alaihivasallam se Sawal Kiya k Qayamat Kab Aayegi ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya-
*_إِنَّ اللَّهَ عِندَهُ عِلْمُ السَّاعَةِ_,*
*_Surah Luqman, Aayat- 34:*
"_ is bare mai Mera ilm Sawal karne wale se zyada nahi Hai , ( Yani jis tarah poochhne wale Jibraiyl Alaihissalam ko khabar nahi Usi Tarah mujhe bhi iska Haqeeqi Waqt maloom nahi ) _,"
* Muslim Shareef - 1/ 29 _,*
❀__To Zaahir hai k Jab Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ilm nahi to Duniya mai aur Kisi ko Kya ilm ho Sakta Hai ?   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qayamat Ki 10 Qareebi Alaamate'n ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Albatta Hadees Shareef mai Qayamat se pehle ki Bahut si Alaamate'n batlayi gayi hai'n , Unme Do tarah ki Alaamate'n hai'n , Ek to Mutlaq Alaamate'n Maslan Ma'ashre mai Fayl Jane wale Munkiraat ,Be Hayaa'i , Fahashiya'n ,Bad dayanati aur Na Ahlo Ka hukumato per qabza vagara , Aur Doosri Qareebi Alaamate'n Jinke Vajood ke Baad bas Duniya ki Zindgi ab aur tab ki reh jayegi ,aur Un Sab ke Baad Tauba ka darwaza band ho jayega ,
❀__ Hazrat Huzefa ibne Usaid Gafaari Raziyallahu Anhu irshad Farmata Hai'n k Hum log ek martaba Aapas mai guftgu Kar rahe they, Usi Dauraan Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam hamare paas tashreef laye aur Sawal Kiya k Kya guftgu chal rahi thi ? Maine Arz Kiya k Hazrat ! Hum Qayamat ke mutalliq tazkire mai mashgool they , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Qayamat us Waqt Tak qaa'im na hogi jab Tak k Tum usse Pehle Das Alaamate'n na dekh lo , Wo Das Alaamate'n ye hai'n ::---
*"__1 _, Dukkhaan _,* _ Ye Ek Khaas Qism Ka Dhuwa'n hoga Jo Mashriq v Magrib mai 40 Din Tak Barabar fayla rahega ,Jiske Asar se Kaafiro per Madhoshi taari ho jayegi aur Ahle imaan ko Sirf Nazla Zukaam jesi Takleef hogi _,"
* Mirqaat --5/187 ,*
*"__2 _, Dajjaal _,* _ Ek Aankh se kaana ,Kirya Soorat Dajjaal zaahir hoga Jiski Peshani per " (ک ،ف ،ر) Kaaf , Fa , Ra ," likha hoga Jise Har Shakhs padh lega Chahe Padha hua ho ya na ho , Ye Ajeeb v Gareeb Shu'abude ( Jaadu ) dikha Kar Logo'n ko gumraah Karega aur Makka ,Madina ke alawa poori Duniya mai ghoom jayega , Saare Shayateen , Yahood aur Islam ki Dushman taaqate uske Saath hongi ,
Wo 40 Din Duniya mai rahega , Jinme pehla Din ek Saal ke barabar ,Doosra ek Maah ke barabar ,Teesra Ek Hafte ke barabar aur baqi ayyaam Aam dino ke barabar honge , Hazrat Iysa Alaihissalam uska pichha karenge aur unko dekh Kar esa lagega Jese Namak Paani mai pighalta hai , " Baab e Lad " per Ja Kar Hazrat Iysa Alaihissalam use qatl Kar daalenge _,"
* Khulasa ibne Maaja, Hadees No. - 4077 _,*
*❀__ 3_ Daabtul Ardh _,* Ye Ek Maheerul Uqool Jaanwar hoga ( Jiski Asal Soorat v Kaifiyat Allah ko hi maloom hai ) Jo Safa Pahaad se nikal Kar poori Duniya Ghoom jayega, Uske Saath Hazrat Moosa Alaihissalam Ka ASA aur Hazrat Suleman Alaihissalam ki Angoothi hogi , Wo Anghoothi se har Momin ke Chehre per imaan ki muhar laga dega aur ASA se Kaafir per Kufr Ka Nishaan laga dega , Iske baad Kaafir Alag aur Monin Alag ho jayenge , Kisi Ka imaan v Kufr chhupa hua na rahega _,"
* Roohul Ma'ani - 20/ 22,24,*
*❀__4 _ Suraj Ka Magrib Se Tulu Hona _,*  _ Qayamat ke Din bilkul Qareebi Zamane mai ek Din Suraj Mashriq se nikalne ke bajaye Magrib Se Tulu hoga aur Fir lot kar Magrib hi mai guroob ho jayega , Is Alaamat ke zaroor ke Baad Tauba ka darwaza band ho jayega, Kyunki imaan bil gaib nahi rahega _,"
* Muslim Shareef ma Al Mafham Al Qurtubi- 7/ 242 ,Fatahul Baari -1/ 432,*
*❀__5 _ Hazrat Iysa Alaihissalam Ka Nuzool _,* _ Hazrat Iysa Alaihissalam ke mutalliq mutawatir nusoos Se ye Baat Saabit hai k Aap Zinda Aasmaan per uthaye gaye hai'n aur Waha'n Zinda mojood hai'n aur Muqarrarah Waqt per Duniya mai Nuzool farmayenge , aur Shari'at e Muhammadiya ke mutabiq Ummat ki rehnumayi farmayenge , aur Aapke haatho Kaana Dajjaal Jahannam Rasheed hoga _,"
* Muslim Shareef _ 2/ 401 _,*
*❀__6 _ Yajooj Majooj Ka Khurooj _,* _ Ye bhi Allah ki Ajeeb v Gareeb Makhlooq hai , Dajjaal ke qatl ho Jane ke Baad aur poori Duniya mai Islam Ka phurera lehrane ke baad Hazrat Iysa Alaihissalam ki Hayaat mai Karodo ki tadaad mai Yajooj Majooj poori Duniya ke chappe chappe per utar aayenge , Ye itni badi tadaad mai honge k Tamaam meethe Paani ke chashme pi pi Kar bilkul Saaf kar denge , aur Tamaam Duniya ke jaanwaro ko kha jayenge , aur Jab inhe koi nazar nahi aayega to Apne teer Asmaan ki taraf Chala Kar kahenge k Humne Sab Duniya walo ko khatm Kar diya ab Asmaan walo Ka number hai , Allah Ta'ala Un teero ko khoon ke rang mai rang kar waapas lota denge ,Jisse Wo is Galat fehmi mai pad jayenge k Humne Asmaan walo ko bhi khatm kar dala hai ,
Fir Hazrat Iysa Alaihissalam Unke Haq mai Bad Dua karenge Jiske natije mai Allah Ta'ala unko ek khatarnaak Bimaari mai mubtila Kar ke maar daalega aur poori Zameen Unki Na'asho ( Laasho ) se  Pat jayegi , aur Sakht badboo uth padegi , Fir Allah Ta'ala tez Tareen baarish se Roo'e Zameen ko dho daalega aur Zameen Apne Tamaam khazaano ko ugal degi , Hattaki ek ek Anaar ek badi Jama'at ke liye aur Ek ountni Ka Doodh Tamaam Ghar walo ke liye Kaafi ho jayega , Lekin ye Ronaq Chand saala hogi fir ek Esi umda Hawa chalegi Jisse Tamaam Ahle imaan ki Rooh qabz Kar li jayegi aur Roo'e Zameen per Sivaye Kuffaar ke koi baqi na rahega _,"
* Khulasa - Muslim Shareef - 2/ 402 , 2/ 987 ,*
*❀__7_ 8_9_ Zameen mai Dhansne Ke Teen Waqi'aat _,* _ Jinme se ek Waqi'a Mashriq,Doosra Magrib aur Teesra Jazeeratul Arab mai pesh aayega _,"
*❀__10 _Yaman mai Aag _,* _ Aur Sabse Aakhir mai Yaman ki jaanib se Aag uthegi Jo logo ko Samet Kar Mehshar ki taraf le jayegi , ( Baaz rivayato mai is Aag ke Hujjaz se nikalne Ka Zikr hai to Mumkin hai k dono jagah se Aag nikal Kar logo ko Samet de ) aur Ye Waqi'a Us Waqt pesh aayega jab Roo'e Zameen per koi Musalman baqi na rahega _,"
* Muslim Shareef ma Akmaal Al Muallimul qazi Ayaaz  - 8/ 442 _,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qayamat Se Pehle Logo'n Ka Shaam mai Ijtima  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__  Qayamat ke bilkul qareeb Pur Fitan Zamane mai Logo ko Jabri Tor per Sarzameene Shaam mai Samet diya jayega aur Mukhtalif andaz mai log simat Kar yaha'n jama ho jayenge , Bukhari Sharif ki Rivayat hai :-
"__ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Logo'n ko teen tareeqo per jama kiya jayega , Kuchh log to ( Aafiyat ) Ragbat karne wale aur ( Bad Amani ) se darne wale honge aur Kuchh do ek Ount aur Teen ek Ount per , Aur Chaar ek Ount per Aur Das ek Ount per honge , aur Baqi'a Logo ko Aag Samet Kar le chalegi , Agar Wo log Dopahar mai Kahi Araam karenge to Aag bhi Wahi thehri rahegi , Aur Raat Jo Jaha'n soyenge to Aag Unke Saath hogi aur Subeh Shaam har Waqt Aag Unke Saath Saath rahegi _,"
Hafiz ibne Hajar Reh. ne Fatahul Baari mai Allama Khattabi Reh.aur Allama Tayyabi Reh.ke hawale se Mazkoora Hadees ko Qayamat se pehle ke Waqi'a per mahmool farmaya hai , is Soorat mai Mafhoom ye hoga k Jab Haqeeqi Ya Fitna ki Aag bhadkegi to ek Jama'at ( Jise Raagbeen aur Raahbeen Kaha Gaya hai ) to Araam se sawariyo'n per sawaar ho Kar Sabqa khatraat se darte hue aur aage ki Aafiyat ki Ummeed rakh Kar Mulk Shaam pahunchenge ,
Aur doosre ( Jinki taraf ek Sawaari per Kai Kai ke sawaar hone Ke unwaan se ishara Kiya gaya hai ) Wo log honge Jo pehle se Susti karne ki vajah se Alag Alag Sawaari na pa sakenge aur ek Ount per Kai Kai log ek Saath Beth Kar Mehshar ki Zameen ki taraf rawana honge , Us Waqt Sawariyo'n ki Esi esi qillat hogi k Aadmi ek ountni khareedne ke liye Apna shandaar baag Tak dene ki taiyaar ho jayega ( Jesa k Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu ki Hadees mai hai ) aur Teesre Wo log honge Jinke paas Sawariya'n hi nahi hongi to Unhe Aag hanka Kar Paidal ya ghaseet Kar Mehshar ke muqaam per jama Kar degi ,
__Iske bar khilaf Jin Rivayaat mai Mazkoora Hashr ki Soorat ke Saath Qayamat ke Din Ka Waqi'a aaya hai to Wo us Waqt per mahmool Karna Awla hoga jab hisaab vagera ke Baad Jannat ya Jahannam ki taraf le Jaye jayenge to us Waqt Ahle imaan sawaar honge aur Kuffaar ko chehro ke bal ghaseet Kar nihayat zillat se Jahannam mai daal diya jayega , Wallahu A'alam _,"
*  Fatahul Baari- 14/ 462-465-,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qayamat Kin Logo'n Per Qaa'im Hogi ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qayamat Ke Qayaam ke waqt Roo'e Zameen per koi Allah Allah Kehne Wala baqi na rahega ,Poori Duniya mai Kufr v Shirk Ka daura hoga , Hattaki Zamana E Jahiliyat ki tarah Arab mai bhi But Parasti Aam ho jayegi aur Log Jaanwaro ki tarah Be Hayaa'i aur Badkaari mai sare Aam mubtila honge , Allama Maruzi Reh. ne Apni Kitaab Al-Fitn mai iski Tafseel is tarah Naqal farmayi hai :--
"__ Aur Jo Log Shaam Ki taraf Samete jayenge Wo kisi Haq aur Farz ko na pehnchanenge aur Kitaab v Sunnat per Aamil na honge , Haya aur Waqaar v Murawwat se mehroom honge , Inme Aryaniyat Fayl jayegi ,Shohar Bivi ko aur Bivi Shohar ko na pehchanegi , insaan v Jinnaat So Saal Tak Gadhho aur Kutto ki tarah Ba Sare Aam Zinakaari karenge , Aadmi Jinnaat v insaan Aurto'n se mujam'at karenge aur Mard Mard se Apni khwahish poori karenge aur Buto Ki Pooja karenge , aur Allah Ta'ala ko bilkul Bhool jayenge , Hattaki Ek doosre se Kahega k Asmaan mai Koi Khuda nahi hai ,Ye log Awwaleen v Akhireen mai Sab se Badtareen log honge ,
Iske Baad Achanak Qayamat aa jayegi aur Fir kisi bhi Kaam ke liye ek Second ki bhi mohlat na milegi ,
❀__Irshade Khudawandi hai :- "_ Aur Kehte hai'n k Kab hai ye Vaada agar tum Sachche ho , Aap farma dijiye k Tumhare liye Vaada hai Ek Din Ka na Dayr karoge usse ek Ghadi na Jaldi _," *( Surah Saba )*
❀__Aur Bukhari Sharif ki Rivayat Hai :- Aur Zaroor Qayamat qaa'im hogi ,Jabki Do Shakhs Aapas mai Apne Kapde failane ko Taiyaar honge Magar na use bech payenge na lapet payenge , aur Qayamat aa jayegi , Jabki ek Aadmi Apni ountni Ka doodh nikaal kar layega Magar use pee na Payega ,Aur Qayamat qaa'im ho jayegi , Jabki El Shakhs Apne Khoz ki lipaa'i Kar raha hoga Magar usme Jaanwaro ko Paani na pila Payega , aur Zaroor Qayamat aa jayegi k Ek Shakhs luqma moonh mai Lena chahta hoga Magar moonh Tak na leja sakega ( K Qayamat aa jayegi ) _,"
* Bukhari Sharif- 2/ 963 , Hadees :- 6506 _,*  
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Jab Soor Foonka Jayega ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Allah Ta'ala ne Apne ek muqarrab Farishte Hazrat Israfeel Alaihissalam ko qayamat Ka Soor ( ek Seeng Jisme Foonk maarne se Awaaz niklegi ) foonkne per mamoor farma rakha hai , aur ye Farishta Soor Foonke ke liye bas Allah Ta'ala ke ishare Ka Muntazir hai , Ek Hadees mai waarid hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :--
"__ Mai'n kese Mutma'in Reh Sakta hu'n Jabki Soor Ka Zimmedar ( Farishta ) Soor moonh mai daal kar Kaan Allah ki taraf lagaye hue hai k Kab Soor Foonke Jane Ka Hukm jari ho Jaye _,"
* Ravaah Tirmizi-2/ 69 , Fatahul Baari -14/ 448 ,*
❀__ Chunache jab muqarrar Waqt aayega aur Hazrat Israfeel Alaihissalam Rabbul Aalameen ke hukm se pehla Soor foonkenge to uski Wahshatnaak awaaz Sunte hi har Shakhs behosh ho jayega , Haamla Aurte'n maare dar ke Apne Hamal gira dengi , Maae'n Apne Doodh pite Bachcho ko Bhool jayengi , Asmaan fat padenge , Pahaad ude ude firenge ,Chaand Suraj be Noor ho jayenge , Algaraz Saara nizame Aalam tah v baala ho jayega , Us Din Allah Ta'ala Zameen Asmaan ko Lapet Kar Apne haatho mai rakhega aur farmayega :-
"__ Mai'n hi Badshaah hu'n , Kaha'n Gaye Duniya ke Badshaah ! _,"
* Bukhari Sharif- 2/ 965 Hadees- 6519_,*
"__Iske Baad 40 saal Tak poora Aalam veeraan rahega _,"
* Fatahul Baari - 14/ 450 _,*   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Dobara Zindgi Aur Maidane Mehshar ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Fir Doosri martaba Soor foonka jayega,Jiski vajah se Tamaam Murde Zinda ho uthenge aur be akhtyar Maidane Mehshar ki taraf chal padenge , Qur'ane Kareem mai Allah Ta'ala ne irshad farmaya :-
"__ Aur Foonki jawe Soor fir Tabhi Wo Qabro se Apne Rab ki taraf Fayl padenge ,Kahenge Ey kharabi Hamari ,Kisne Hume utha diya Humko Hamari neend ki jagah se Ye Wo hai Jo Vaada Kiya tha Rahman ne aur Sach kaha Tha Paigambaro ne ,Bas ek Chinghaad hogi ,Fir Usi dam Wo Saare hamare paas pakde chale aayenge _," *( Surah Yaseen - 51- 53)*
❀__Aur Us Din Sabse pehle hamare Aaqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam hosh mai aayenge , Aap Ka irshad hai :-
"__ Log Qayamat ke Din behosh honge fir Mai'n Sabse pehle hosh mai aaunga ,To Mai'n dekhunga k Moosa Alaihissalam arsh Ka ek Kona pakde khade hai'n , Pas mujhe nahi maloom k aaya Hazrat Moosa Alaihissalam behosh hone walo mai they aur mujhse pehle hosh mai aa gaye ya un logo mai Hai'n Jinko Allah Ta'ala ne behoshi se mustashna farmaya hai _,"
*( Bukhari Sharif - 2/ 972 )*
❀__Imaam Qurtubi Reh.ne Apne Shekh Abul Aas se Naqal farmate  hai'n k Jab Pehli martaba Soor foonka jayega to Jo log zinda honge Wo Mar jayenge ,Aur Hazrat Ambiya Alaihissalam Jo Agarche pehle se wafaat pa chuke hai'n Magar unko ek Khaas Barzakhi Zindgi haasil hai to Wo is Soor foonke jane per behosh ho jayenge ,
Fir Jab Doosri martaba Soor foonka jayega to Sabse pehle Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Gashi se ifaaqa farmayenge aur Jab Aap darbare Khudawandi mai pahunchenge to dekhenge k Sayyadna Moosa Alaihissalam pehle se hi Arsh Ka paaya pakde khade hai'n ,To Aapko is bare mai taraddud hoga k Aaya Hazrat Moosa Alaihissalam ko is moqe per behoshi se mehfooz rakha gaya ( Kyunki Woh Toor per Bijli ke Waqt Duniya mai behosh ho chuke they ) ya ye k Unhe Aap Sallallahu Alaihivasallam se pehle behoshi se ifaaqa ki Fazilat ata ki gayi hai , Bahar haal ye Hazrat Moosa Alaihissalam ki ek juzyi Fazilat hai isse Kulli Fazilat Laazim nahi aati _", *(At Tazkiratul Qurtubi - 191-192 , Roohul Ma'ani -24/29 )*
❀__ Baaz Rivayato mai ye bhi hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam Jis Waqt Apne Roza e Aqdas se bahar tashreef layenge to Sattar Hazaar Farishte bhi Aizaaz ke Tor per Aapke Saath honge , aur Aapke Daaye Baaye Sayyadna Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Sayyadna Hazrat Umar Raziyallahu Anhu honge _," *( At Tazkirah - 214)*
❀__Baad iske Jannatul Baqi ( Madina munawwara ) aur Jannatul Ma'ala ( Makka Muazzama ) ke madfoon Hazraat Aap Sallallahu Alaihivasallam ke juloos mai Shamil ho Kar Maidane Mehshar ki taraf chalenge _,
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Allah Ki Azmat v Jalaal Ka  Zabardast Muzahira
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Insaan Jab Mar Jata Hai to uska Badan Agarche gal sad Jaye aur fana ho Jaye Lekin uski Reedh ki haddi ke niche ek daana Bahar haal Kahi na Kahi Allah ke ilm mai mehfooz rehta Hai aur Usi daane per Allah Ta'ala dobara Jism ata farma Kar Makhluqaat Ka Zindgi ata farmayega ,Har Shakhs 60 haath Ka Badan ata kiya jayega , Us Din Sab Be khatna aur Be Libaas honge , aur Sab Baargaahe Rabbul izzat ki taraf be akhtyar daud padenge ,
❀__ Duniya ke Tamaam Mutakabbireen Ka guroor toot jayega ,Ameer v Gareeb ,Gulaam aur Aaqa ,Haakim aur Ri'ayaa  ,Sab Ahkamul Haakimeen ke saamne aajizi ke Saath Haazir honge ,Dahshat aur haybat ke maare kisi ko dam maarne ki Himmat na hogi ,Nafsa Nafsi Ka Aalam hoga aur Jo Jitna bada Khuda Ka mujrim hoga Utni hi zyada Zillat aur Wahshatnaak ghabrahat us per taari hogi , Is Holnaak Din Ka ek manzar Qur'ane Kareem ne is tarah Bayan farmaya hai :--
"__ Taki Wo daraye mulaqaat ke Din se Jis Din wo log nikal khade honge , Chhupi na rahegi Allah per Unki koi Cheez  , Kiska Raaj hai us Din ? Allah ka hai , Akela hai dabaav Wala ,Aaj Badla milega har Ji ko Jesa usne kamaya bilkul zulm nahi aaj , Beshak Allah Jald lene wale hai'n hisaab aur khabar suna dijiye Us Nazdeek aane wale Din ki Jis Waqt Dil pahunchenge galo'n ko ,To Wo daba rahe honge ,Koi nahi gunahgaaro Ka dost aur na sifarshi k jinki Baat maani Jaye _,"  *( Surah Al Faatir - 16-18 )*
❀__Allahu Akbar ! us din ke tasavvur hi se Dil kaanp uthta hai aur Badan per Kapkapi chadh jati hai , Waha'n Duniya Ka mansab ,Maal v Daulat aur Khandaan kuchh Kaam na aayega ,Kamraan Sirf aur sirf Wahi hoga , Jisne is Din ke aane se pehle hi Ahkamul Haakimeen ki Khushnudi Haasil Karne ka intezam Kar rakha hoga , Ey Rabbul Kareem ! Hum Sabko us Din ki sakhtiyo'n se Aman ata farma, Aameen Summa Aameen ,
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ 
*❥ Maidane Mehshar Ki Zameen ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Allah Ta'ala Ka irshad Hai :- Jis Din Badli Jaye us Zameen se aur Zameen mai , Aur Badle Jaye Asmaan aur Log nikal khade ho'n saamne Allah Akele Zabardast ke  ,aur dekhe to gunahgaaro ko us Din baham jakde hue Zanjeero mai ,Kurte Unke hai'n Gandhak ke aur dhaanke leti hai unko Aag , Taki badla de Allah har ek Ji ko ,Uski Kamaa'i Ka , Beshak Allah Jald Karne Wala hai Hisaab _,"  *( Surah Ibrahim - 48-51 )*
❀__ Us Zameen ki tabdili ke mutalliq Hazraate Ulma Ki 3 Tashrihaat hai'n :-
(1) - Bahut se Hazraat ne farmaya hai k ye tabdili Haqeeqi aur zaati hogi , aur mojooda Zameen ki jagah Esi Zameen bichhayi jayegi Jis per kisi m'asiyat Ka sudoor na hua hoga , Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ki ek moqoof Rivayat se iski ta'iyd hoti hai ,Is aitbaar se ye tabdili dono Soor foonkne ke darmiyani arse mai pesh aayegi , Yani pehli martaba Soor foonke jane per to Tamaam Zameen v Asmaan bikhar jayenge ,Uske baad Hashr qaa'im hone se pehle pehle Allah Ta'ala naye Asmaan aur Nayi Zameen paida farmayega , aur Usi nayi Zameen per Hashr bapa hoga _," *( Fatahu Baari - 14/ 457 )*
❀__ (2) Baaz Hazraat Ka Khayal ye hai k Asmaan aur Zameen ki tabdili Haqeeqi nahi hogi balki uski Sifaat badal jayegi , Chunache Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat mai hai k Qayamat ke Din Zameen ko Chamde ki tarah Kheench diya jayega aur Usi per khala'iq ko jama Kiya jayega aur Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ki Rivayat mai Hai k Zameen ke Tamaam Pahaado aur imaarto ko barabar Kar ke bilkul chatiyal Maidaan mai Tabdeel Kar diya jayega , *( Fatahul Baari - 14/ 458 )*
"__(3) _ Aur Teesri Raay ye hai k Zameen aur Asmaan ki tabdili pehle marhale mai Soor foonke jane per to Mahaz Sifaat ke aitbaar se hogi , aur fir Unhe lapet Kar Unki jagah doosri Zameen aur Asmaan qaa'im Kar diye jayenge _,"
   
* At Tazkirah , Fatahu Baari- 14/ 456 ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ 
           
❥ Mojooda Zameen Ko Roti Bana Diya Jayega ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__Bukhari Sharif mai Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Qayamat ke Din Zameen ek Roti ban jayegi ,Jise Allah Ta'ala ( barabar karne ke liye ) Apne Daste Mubarak se is tarah ultega paltega Jese Tumme se koi Aadmi Safar mai ( Jate Waqt ) Apni roti ko ulatta hai , ( Yahi Roti ) Ahle Jannat ke liye pehle naashta ki jagah pesh ki jayegi ,
Fir ek Yahoodi Shakhs ne aa Kar kaha ! Ey Abul Qasim Sallallahu Alaihivasallam Allah Rahman v Raheem Aap per Barkat Naazil farmaye ! Kya Mai'n Aapko Qayamat ke Din Ahle Jannat ki Ziyarat ke bare mai na batau'n ?
Aapne farmaya k Kyu nahi ?
To usne kaha k Zameen Roti ban jayegi Jesa k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya tha ,
Ye Sun kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hamari Taraf dekh Kar muskuraye Yaha Tak k saamne ke Daant zaahir ho gaye , fir Usi Yahoodi ne kaha k - Mai'n Aapko Ahle Jannat ke Saalan ke bare mai na batau'n ? Unka Saalan Bail aur Machhli hoga ( Jo itne bade honge ) k Unka kaleje Ka Zaa'id hissa Sattar Hazaar Afraad nosh karenge _,
* Bukhari Sharif - 2/ 965 ,*
❀__IsHadees se Maloom hua k Maidane Mehshar mai Ahle imaan Jannati bhooke nahi rahenge balki is Zameen ko Unke liye Roti Bana Diya jayega aur ye Goya k Allah ki taraf se Aizaazi naashta hoga aur Allah ki qudrate kaamila se you Hargiz ba'ied nahi hai ,
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hafiz ibne Hajr Reh. Farmate hai'n :- Aur isse ye mustfaad hota hai k Qayamat ke Din Maidane Mehshar ke lanbe arshe mai Ahle imaan ko bhooka nahi rakha jayega balki Allah Ta'ala Apni qudrat se Unke liye Zameen ki Haqeeqat v mahiyat badal dega , Chunache Momin Apne Apne qadmo ke niche se bager kisi takleef aur mashakkat ke Jo Allah Ta'ala chahega khayenge , aur Zameen ke Ahle Jannat ke liye naashta hone Ka Matlab ye hoga k ye Un logo ko diya jayega Jo Anqareeb Jannat mai pahunchne wale hai'n, Goya k ye lafz Umoomi Ma'ani mai hai , Jannat mai dakhile se pehle ke liye aur Baad ke liye bhi , wallahu Aalam ,
❀__Is Silsile mai Muhaddise Kabeer Hazrat Allama Anwar Shah Kaashmiri Reh.ki Raay ye hai k Mehshar mai logo ke qadam Teen jagah Alag Alag Waqt mai honge , Avvalan Sab Mehshar ki Zameen per honge , Fir Sab Pulsiraat per jayenge Jinme se kuchh Jahannam mai gir jayenge aur baqi back Kar Jannat ki Zameen per pahunch jayenge, Jab Sab log Mehshar ki Zameen se hat jayenge aur ye Zameen Khaali ho jayegi to us Waqt Allah us Zameen ko Roti Bana Kar Jannat mai dakhil hone walo ko Pehli mehmani ke Tor per pesh farmayega , Wallahu Aalam , *( Faizul Baari -4/ 432 )* Muslim Sharif mai Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki ek Rivayat se bhi iski ta'iyd hoti Hai ,
❀__ Yaha'n ye ishkaal ho Sakta Hai k Duniya ki Zameen to Rode aur Pattharo per mushtamil hai , Use Ahle Jannat kese Khaa sakte hai'n ? To iska Hal farmate hue Hazrat Maulana Muhammad Qasim Sahab Nanotvi Reh. ne farmaya k us Din Zameen ko chhaan Kar kaaheef cheeze alahida Kar li jayegi aur lateef cheezo ko Roti ki shakl di jayegi , Yahi muqtaza e Aql hai Kyunki Zameen mai har tarah ki istedaad mojood hai aur unme imtiyaz Karna Allah Ta'ala ke liye kuchh bhi dushwaar nahi , *( Ma'arful Akabir -266 )*   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Maidane Mehshar ki Izzat V Zillat ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar mai Tamaam Avvaleen v Akhireen karod ha karod aur Arab ha Arab Jinnaat v insaan Sab ek Waqt mai jama honge aur har Shakhs ek doosre ko dekhta hoga aur har Kaarwa'i Ka mushahida karta hoga ,Us din jise izzat milegi usse badh Kar Koi izzat nahi , Aur Jo Bad Naseeb us Din zaleel ho jayega usse badh kar Kaaynaat mai koi Zillat nahi ,
❀__,ZAra gor farmaiye Duniya mai agar kisi ko Kamyaabi mil Jaye to Aakhir Kitne logo ko uski khabar ho paati hai ,Is khabar hone ki Aakhri had ye hai k Duniya mai mojood bas zinda logo ko pata chal Jaye ,Lekin Jo log Qabr mai Ja chuke hai'n ya Jo Baad mai Paida honge unhe is Kamyaabi ki kuchh khabar nahi mil payegi , is Ka Matlab ye izzat bhi bahut mehdood hai aur iske bar khilaf Maidane Mehshar mai kisi Khush Naseeb Bande ki Kamyaabi Ka Elaan hoga aur Bar sare Aaam uska Aizaaz v ikraam Kiya jayega to Tamaam Avvaleen v Akhireen isse ba khabar honge ,
❀__Aur izzat ka daayra itna bada hoga k Jiska lafzo mai ahata nahi Kiya ja sakta,Lihaza Waha'n ki izzat hi Haqeeqat mai izzat Kahe Jane laa'iq hai , Yahi haal waha'n ki Zillat Ka hai , Duniya ki badi se badi Zillat bhi mehdood hai ,Lekin Khuda na khwasta Maidane Mehshar ki Zillat se waasta pad Jaye to isse bad Kar koi Zillat nahi ho sakti,
   
❀__ Qur'ane Kareem mai Maidane Mehshar Ke izzat v Zillat ke manazir Bayan farmaye hai'n, Chand Ayaat Ka Tarjuma mulahiza ho :-
"__ Aur Hargiz mat Khayal Kar k Allah Ta'ala be khabar hai un kaamo se Jo karte hai'n be insaaf ,Unko to dheel de rakhi hai us Din ke liye k Pathra jayegi Aankhe'n ,Daudte honge ouper uthaye Apne Sar ,Fir kar nahi aayengi unki taraf Unki Aankhe'n aur Dil Unke ud Gaye honge _," *( Surah Ibrahim )*
❀__ "_Aur Uthayenge hum unko Qayamat ke Din,Chalenge moonh ke Bal ,Andhe aur Goonge aur Behre _," *( Surah Bani Israiyl )*
"__ Aur Jisne moonh fayra Meri Yaad se to usko milni hai guzraan Tangi ki aur layenge usko hum Qayamat ke Din andha ,Wo kahega Ey Rab Kyu utha laya tu mujhko andha aur Mai'n to Tha dekhne Wala , Farmaya yunhi Pahunchi thi Tujhko Hamari Aayate ,Fir tune unko Bhula diya aur isi tarah Aaj Tujhko Bhula denge _," *( Surah Taaha )*
❀__ Aur Kabhi Tu dekhe Jis Waqt k Munkar Apne rab ke saamne Sar daale hue honge ( aur Keh rahe honge ) Ey hamare Rab Humne dekh liya aur Sun liya ab humko bhej de k hum karenge bhale Kaam ,Humko Yaqeen aa gaya _," *( Surah Alif Laam Meem Sajdah)*
"__ Jis Roz Soor mai foonk maari jayegi aur Hum  Us Roz mujrim logo ko is haalat se jama karenge k Unki Aankhe'n nili hongi ,Chupke Chupke Aapas mai baate karte honge k Tum log Sirf Das Roz rahe honge ,Jiski nisbat Wo Baat karenge ,Usko hum khoob Jaante hai'n Jabki us sabme Ka zyada Sa'ibul Raay Yu'n Kehta hoga k Nahi tum ek hi Roz rahe ho _," *( Surah Taaha )* 
❀__ Ye Chand manazir Bayan kiye gaye hai'n Varna us din be imaano aur be Amalo ko Jis Badtareen Zillat Ka Saamna hoga uska tasavvur nahi Kiya ja sakta aur iske bil mukabil Ahle imaan jis izzat v Takreem se nawaze jayenge Wo bhi na qabile Bayan hai, Allah Ta'ala hum Sabko Waha'n ki ruswaiyo'n se bachaye aur Haqeeqi izzat se nawaze , Aameen ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Maidane Mehshar mai Sabse Pehle Libaas Poshi ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Bukhari Sharif mai Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai ,Wo farmate hai'n :--
"__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam hamare darmiyan taqreer karne ke liye khade hue aur irshad farmaya k Tum Sabko Nange Payr nange Badan khatna ke bager jama Kiya jayega , ( irshade Khudawandi hai )"_ Jese humne Pehli martaba banaya Usi Tarah hum dobara paida kar denge _," aur Makhluqaat mai jise Qayamat ke Din Sabse pehle Libaas pehnaya jayega Wo Hazrat Ibrahim Khalilullah Ala Nabiyyina wa Alaihissalatu Wassalam hai'n _,"  *( Bukhari Sharif-2/ 966 )*
"__ Ek Rivayat mai Hai k Qayamat mai Sabse Pehle Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko do qubti kapdo Ka Libaas pehnaya jayega fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ko arsh ki Daanyi jaanib dhaaridaar joda Zaibo tan karaya jayega _,"
❀__Ab Sawal ye hai k Ye Aizaaz Sabse pehle Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko ata kiye Jane ki vajah Kya hai ? To is silsile mai Ulma ke mut'addid aqwaal hai'n ,
(1) _ Allama Qurtubi Reh. ne farmaya k vajah ye hai k jab Aapko Namrood ne Aag mai daalne Ka hukm diya to Aapko Allah ke Raaste mai be Libaas Kiya gaya iski jaza ke Tor per Sabse pehle Aapki Libaas Poshi karayi jayegi _,"
(2) _ Allama Halimi Reh. ne farmaya k Chunki Roo'e Zameen per Hazrat Ibrahim Alaihissalam se zyada Allah se Khof karne wala koi na Tha isliye Aapko Libaas pehnane mai Jaldi ki jayegi Taki Aapka Dil Mutma'in ho Jaye _,"
(3) _ Aur Baaz asaar se ye maloom hota Hai k us Din logo per Fazilat zaahir karne ke liye Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke Saath ye Maamla kiya jayega _,"
❀__ Aur is Aizaazi maamle se ye Laazim nahi aata k Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko hamare Aaqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam per bhi Mutlaq Fazilat haasil ho , isliye k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ko Jo Joda pehnaya jayega Wo Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke jode se zyada Shaandaar hoga , Agarche avvaliyat na ho Lekin uski umdgi Aap Sallallahu Alaihivasallam ke maqaam v martabe Ka Pata deti Hai _,"
   
* Fatahul Baari -14/ 468 _,*
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Mehshar mai Pasina Hi Pasina ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar ki holnaak Haalato mai se ek haalat ye bhi hogi k us Din har bad Amal Shakhs Apni bad Amali ke baqadr pasine mai sarobaar hoga aur is qadar Pasina niklega k Mehshar ki Zameen mai Sattar Haath Tak niche Chala jayega, Bukhari Sharif ki Rivayat hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Qayamat ke Din Log Pasine mai sarobaar honge , Yaha'n Tak k Unka Pasina Zameen se Sattar Haath Tak niche utar jayega aur unko Pasina lagam ki tarah chipat jayega , Yaha'n Tak k Unke kaano Tak pahunch jayega _,"
* Bukhari Sharif-2/967 Hadees- 6532,*
❀__ Aur Muslim Sharif mai Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-
"__ Qayamat ke Din Suraj Makhluqaat se bilkul qareeb aa jayega Yaha'n Tak k logo se Uska Faasla ek meel ke baqadr reh jayega , Salim bin Aamir farmate hai'n k Allah ki qasam mujhe ye nahi maloom k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne meel se Zameen ki musafat muraad hai ya Wo meel ( Surme ki Salaa'i ) muraad hai Jisse Aankh mai Surma lagaya Jata hai , Aage Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya kuchh log Apne A'amaal ke aitbaar se Pasina mai doobe hue honge ,Kuchh log ese honge Jinka Pasina takhno mai dooba hua hoga ,Kuchh Ka ghutno Tak hoga ,Kuchh Ka peeth Tak hoga aur koi poora Pasine mai dooba hua hoga , Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Daste Mubarak se moonh ki taraf ishara farmaya ( Yani Pasina moonh Tak pahunch raha hoga ) _,"
* Muslim Sharif - 2/ 384, Attargeeb v Tarheeb- 4/ 209_,*
"_ Is Rivayat se maloom hua k Ek hi Maidan mai Jabki bheed itni hogi k har Shakhs ko Sirf Apna qadam hi tikana mayassar aayega ,Apni Apni ba Amaaliyo ke baqadr pasine mai doobe honge ,Ye Esi holnaak Soorat hai k Aqal insaani iska tasavvur karne se bhi aajiz hai Magar is per imaan Lana zaroori aur Laazim hai _,"
* Fatahul Baari- 14/ 481 ,*
❀__ Is Holnaak Din mai Kuchh Allah ke makhsoos Bande ese bhi honge Jinko Suraj ki Garmi zarra barabar bhi nuqsaan na pahuncha sakegi aur Wo us din Amano Amaan aur Aafiyat mai honge , Ek Rivayat mai Hai k Suraj ki Garmi se Momin Mard v Aurat ko koi takleef na hogi ,Isse muraad Kaamil Momin hai , Jese Hazraate Ambiya ,Siddiqeen ,aur Shohda k inko Maidane Mehshar mai kisi takleef Ka Saamna na hoga _,"
* Fatahul Baari - 14/ 481 _,*   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Mehshar Ke Din Ki Lambayi ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Mehshar Ka Din Aam Duniya ke Dino ki tarah nahi hoga , balki Duniya ke Dino ke aitbaar se iski miqdaar Pachaas Hazaar Saal ke barabar hogi , Jesa k Qur'ane Kareem mai Surah Maarij mai irshad farmaya gaya Hai aur Bahut si Ahadees mai bhi ye miqdaar waarid hai _,"
* Tafseer ibne Kaseer Kaamil - 1378 ,*
❀__Mehshar ke Din ki Is Lambayi ki vajah se Kaafiro aur Bad Amalo Ka haal kharaabtar ho jayega aur Wo Din kaate nahi katega ,Lekin Allah tabarak wa Ta'ala Apni qudrate kaamila se is taweel Tareen Din ko Ahle imaan ke liye ek Farz Namaz guzarne ke baqadr Halka farma dega ,
❀__Musanad Ahmad mai Rivayat Hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Mehshar mai waqoof Ka Zamana Momin per itna mukhtasar Kar diya jayega Jesa k Ek Farz Namaz Ka Waqt hota hai _,"
"__ Aur Tabrani ki ek Rivayat mai Hai k Qayamat Ka Din Momin ke liye Duniya ke ek din ki chhoti se chhoti ek Saa'at ke barabar ho jayega _,"
* Fatahul Baari - 14/ 547 ,*
Yani Sulha Momineen us Din itni Aafiyat mai honge k unhe Waqt guzarne Ka pata hi na chalega ,Allah Ta'ala hum Sabko Maidane Mehshar mai Esi hi Aafiyat ata farmaye _,( Aameen )   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
  
                  *❥ Hauze Kausar ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar mai Jabki Pyaas ki shiddat had se tajavuz Kar rahi hogi to Hazraate Ambiya Alaihissalam ko Alag Alag Hauz ata kiya jayega Taki Wo Apne Momin Ummatiyo'n ko Paani pilaye aur Unki Pyaas bujhaye , Us Din Sabse bada Huaz aur Pine walo Ka Sabse bada majma hamare Aaqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke Hauze Kausar per hoga aur Aap Waha'n nafees nafees tashreef farma ho Kar Apni Ummat ko Sairaab farmayenge ,
❀__Ek Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :- Har Nabi Ka Alag Alag Huaz hoga aur Wo is Baat per Fakhr karenge k miske paas Kitne zyada peene wale aate hai'n aur Mujhe Ummeed hai k Mai'n hi Unme Sabse Zyada Sairaab karne Wala hunga ,( Mere hi paas Sabse Zyada peene wale log aayenge ) _,"
* Tirmizi Sharif - 2/ 70 ,*
❀__Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Hauz intehayi Azeemusshaan hoga ,Uski Wus'at aur Khoobi Bayan karte hue Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Mere Hauz ki musafat ek Mahine chalne ke barabar hai ,aur iske Charo atraaf barabar hai'n aur iska Paani Chaandi se zyada safed hai aur iski Khushbu mushk se zyada umda hai aur iske aage Aabkhore Asmaan ke sitaaro ki tarah ( Anginat ) hai'n ,Lihaza Jo isko pi lega fir kabhi bhi pyaasa na hoga _,"
* Muslim Sharif-2/249 , Bukhari Sharif- 6579,*
"__ Aur Ek Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Wo Doodh se bhi Bahut zyada safed aur Shehad se zyada Sheeri hai aur isme Jannat se do parnaale aa kar gir rahe hai'n,Ek Sone Ka parnaala hai aur Doosra Chaandi Ka _,"
* Muslim Sharif- 2/251 ,*     
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
    *❥ Pehchana Kese Hogi ?❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ek Martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Hauze Kausar ki Sifaat Bayan farma rahe they , darmiyan mai ye bhi farmaya k Mai'n Us din Hauz per Khade ho Kar gair Ummatiyo'n ko is tarah hata raha hunga Jese koi Shakhs Apne Zaati Jaanwaro ke Paani Pilane ki jagah se Gairo ke jaanwaro ko hankaata hai , Ye Sun Kar Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ne badi Hairat se Sawal Kiya k Ey Allah ke Rasool ! Kya Aap us Din ( itne bade Azeem majme aur bheed mai ) Hume Pehchaan lenge ? To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye Khush khabri sunayi :-
"_Ji Haa'n ! Tumhari Esi nishani hogi Jo kisi aur Ummat ke liye ( is tarah ki ) na hogi , Tum mere Hauz per Wazu ke Asar se chamakte A'aza ke Saath aaoge _,"
* Muslim Sharif ,Hadees - 247 ,*
❀__Maloom hua k Kasrat se aur Ahatmaam se Wazu Karna Maidane Mehshar mai Ummate Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke imtiyaz Ka Sabab hoga aur iske zariye se Aap Sallallahu Alaihivasallam har ummati ko dekhte hi Pehchaan lenge ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Sabse Pehle Hauze Kausar Se Sairaab Hone Wale ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Wese to har Ummati in Sha Allah Hauze Kausar Se Sairaab hoga Lekin kuchh Khush Naseeb aur Sa'adat mand Hazraat ese honge Jinko Sabse pehle Sairaab hone Ka Aizaaz milega, Unki Sifaat Bayan karte hue Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Sabse pehle Hauze Kausar per aane wale Muhajir Fuqra Hazraat honge Jo ( Duniya mai) paraganda Baal wale aur mele kuchele Kapde wale honge ,Jo naazo na'am mai mai rehne wali Aurto'n se Nikaah nahi karte aur Ghar ke darwaze Unke liye khole nahi Jaate ( Unki Duniyavi be Saro samaani ki vajah se ) _,"
* Tirmizi Sharif- 2/ 71 ,*
❀__Yani Unki bekasi dekh Kar koi naazo na'am mai palne wali Aurat unse Nikaah karne ko Taiyaar na hogi aur agar Wo kisi ke darwaze per jayenge to Unke liye log darwaze kholna bhi pasand na karenge , Duniya mai to Unka ye maskanat Ka haal hoga aur Akhirat mai unka Wo Aizaaz v ikraam hoga k Sabse pehle Hauze Kausar per bulaye jayenge , Ye Aajizi aur Maskanat Qurbe Khudawandi Ka zariya hai ,
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Bad Amal aur Bid'ati Hauze Kausar Se Dhutkaar Diye Jayenge  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Maidane Mehshar mai Allah Ta'ala ki taraf se Sattar Hazaat Farishte is Kaam per muqarrar honge k koi Kaafir ya Gair Mustahiq Ambiya Alaihissalam ke Hauze Kausar Se Sairaab na hone paye  _",
* ( At Tazkirah- 348 )*
"__ Chunache Hauze Kausar per bhi badi tadaad mai Farishto Ka pehra hoga , isi darmiyan ye Soorat pesh aayegi k Baaz log Jo Zaahiri nishaniyo'n se Musalman maloom Hote honge Hauze Kausar ki taraf badh rahe honge ,Magar Farishte unhe door hi se rok lenge , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam unhe dekh kar Farishto se farmayenge k ye to mere Aadmi hai'n ( inhe Kyu rokte ho ) to Farishte jawab denge k Hazrat ! Aapko maloom nahi k inhone Aapke Baad Kya Kiya ( Bure Amal ) kiye hai'n , Ye sun Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam bhi unhe Dhutkaar denge ,
❀__Ek Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:- Mai'n Hauze Kausar per Tumhara Muntazir rahunga ,Jo Waha'n Haazir hoga Wo uska Paani piyega aur Jo Paani pi lega Wo fir kabhi payasa nahi hoga aur mere saamne kuchh ese log aayenge Jinhe Mai'n Jaanta hunga aur Wo mujhe pehchante honge , Fir mere aur unke darmiyan Rukawat Kar di jayegi , to Mai'n kahunga k Wo to mere log hai'n , To jawab mai kaha jayega k Aapko maloom nahi k inhone Aapke pichhe Kya Kya karastaniya'n ki Hai'n , To Mai'n kahunga Barbaadi hai Barbaadi hai us Shakhs ke liye Jisne mere Baad Deen mai Tabdeeli Ka irtkaab Kiya _,"
❀__ Allama Qurtubi Reh. is Hadees ki Sharah mai tehreer farmate hai'n k hamare mo'tbar Ulma ki ye Raay hai k Jo Shakhs bhi Na'uzubillaah Deen mai koi nayi Bid'at ijaad Karega Jiski Shari'at mai koi Gunza'ish na ho to wo Qayamat ke Roz Hauze Kausar Se Dhutkaar Diye Jane walo mai Shamil hoga , aur unme Sabse shiddat ke Saath hataye Jane walo mai Wo log honge jinhone Musalmano ki Jama'at mai tafirqa paida Kiya hoga , aur Unke Raaste se Alag Raah akhtyar ki hogi ,
❀__Jese Khaarji, Raafzi aur Mo'atzila Jese gumraah firqe Jinhone Deen Ke andar Tabdeeli ki koshish ki aur isi tarah Wo Zaalim hukmraan bhi Hauze Kausar Se Dhutkaar Diye jayenge Jinhone Ahle Haq ke Saath zulm v Na-insafi aur qatlo gaaratgiri Ka Maamla Kiya hoga , aur Wo Apni Ri'ayaa per zulmo sitam mai had se tajavuz Kar gaye honge , Aur Wo Bar sare Aaam ma'asi v Munkiraat ke aadi log bhi Hauze Kausar Se door rakhe jayenge Jo Ahkaame Khudawandi Ka istakhfaaf karte honge ,
❀__ Yahi haal digar Ahle Bid'at aur Arbaabe Zeg v Zalaal Ka hoga ,Fir agar Wo Deen mai Sirf Amali Tor per Tabdeeli ke murtakib honge aur Aqeeda Unka zyada kharaab na hoga to unhe Baad mai magfirat ke baad Hauze Kausar Se Sairaab hone Ka moqa mil sakega , aur is aitbaar se Agarche Unki Pehchaan A'aza e Wazu ki roshni se ho jayegi  Magar fir bhi Wo Apni Bad Amali ki vajah se ibtida mai Dhutkaare Jane ke mustahiq honge , Lekin agar Aqeede hi mai Na-qabile talafi fasaad hoga Jese k Daure Nabvi ke paye Jane wale Munafiqeen Jo Dil mai Kufr chhipa kar Mahaz Zubaan se Islam Ka daava karte they to unhe kabhi bhi Hauze Kausar Se Sairaabi Ka moqa nahi milega , Pehle Unki Zaahiri Soorat dekh kar bulayenge Magar Haqeeqat ke saamne aane aur Parda faash ho Jane per Aap Sallallahu Alaihivasallam Sohqan Sohqan Keh Kar unhe Waha'n se Dhutkaar denge ,
* Tazkirah Fi Ahwaal Al Mauti val Akhirah _352,*
┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
       *❥ Ek ishkaal Ka Jawab  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Yaha'n ek ishkaal ye Kiya ja sakta Hai k Hadees mai to maloom hota Hai k Har Sahibe imaan Ummati Hauze Kausar se Pani piyega aur Jo Ek Martaba Pani pi lega Wo fir kabhi payasa nahi hoga , Aur ye bhi zaahir hai k Ye Hauz Pul Siraat se pehle hoga , Yani Hauz se Pani pine ke Baad bhi Ahle Kabaa'ir Ke Jahannam mai Jane Ka faisla hoga aur Pul Siraat se guzarte hue Unhe Jahannam mai Kheench liya jayega , Ye Baat Ba-Zaahir samajh mai nahi aati k Jab Hauze Kausar se Pani pi liya aur uski vajah se Pyaas Hamesha Ke Liye bujh gayi to fir ab kisi bad Kirdaar aur Zaalim ya Bid'ati Ko Jahannam mai Kese bheja jayega aur Kya Jahannam Ki khatarnaak Aag mai Ja kar bhi Wo Pyaas se mehfooz rahega ?
❀__ Iska Jawab dete hue Sharaah Hadees ne farmaya k Jin Ahle Kabaa'ir Ka Jahannam mai Jana muqaddar hoga aur Wo Hauze Kausar Ka Pani nosh Kar chuke honge to Allah Ta'ala unko Jahannam mai Pyaas ke alawa Digar tareeqo se Azaab dega , Hauze Kausar Ka Pani nosh karne ki vajah se wo Aainda Pyaas ke Azaab se Mehfooz rakhe jayenge , Wallahu Aalam ,
* Tazkirah - 353 ,*
❀__Baharhaal Hume Allah Ta'ala se Sharmo Haya ke Taqazo ko madde Nazar rakh Kar ye koshish karni chahiye k hum kisi esi Bad Amali aur Bad Aqeedgi mai Hargiz mubtila na ho'n Jo Hume Hauze Kausar se mehroom Kar ke Maidaane Mehshar mai Badtareen Ruswaa'i aur Zillat se do Chaar Kar de , Bilkhusoos Har Musalman ko Bid'at aur Zalalat se bachne ki koshish karni chahiye aur Kitaabo Sunnat aur Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Aqwaal v Af'aal aur ijma e Ummat per mazbooti se Aamil rehna chahiye , Allah Ta'ala hum Sabko gumraahi aur Bid'aat se mehfooz rakhe aur Maidane Mehshar mai Aizaaz ke Saath Hauze Kausar se Sairaabi Ka Apne Fazal v Karam se moqa ata farmaye _ , Aameen ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Shafa'at ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar ki Taveel holnaakiyo'n ki vajah se log Pareshan honge aur Tamanna karenge k Jaldi Hisaab Kitaab ke marhale se nimat Kar log Apne muqaam per pahunche aur intezar ki zehmat khatm ho , Chunache Wo Rabbul Aalameen ke darbaar mai Shifarish karane ke liye Hazraate Ambiya Alaihissalam Ka Waseela Talash karenge , Sabse Pehle Sayyadna Hazrat Aadam Alaihissalam ki khidmat mai Haazir ho Kar Sifarish ki Darkhwast karenge Magar Wo ma'azrat karenge , Fir Nooh Alaihissalam ke paas jayenge Wo bhi ma'azrat pesh farmayenge ,Fir Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke Baad Hazrat Moosa Alaihissalam aur Hazrat Iysa Alaihissalam se Darkhwast karenge Wo Sab Hazraat Sifarish ki Himmat na Kar payenge , Akheer mai Sayyadul Awwaleen v Akhireen Imaamul Ambiya val Mursaleen Sardaare Kaaynaat Fakhre Do Aalam Shafi e Aazam Sahibe Maqaame Mehmood Sayyadna v Maulana Muhammad Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ki Khidmat mai Haazir honge aur Arz karenge ,
__Ey Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Aap Allah ke Rasool aur Khatimul Nabiyyeen Hai'n Aur Allah Ta'ala ne Aapke Agle Pichhle Sab Gunaaho ki maafi Ka Elaan farmaya ( Yani Aapko Kisi Poochh kuchh Ka khatra nahi hai ) Aap Apne Parwardigaar ke ru baru Sifarish farmaiye Kya nahi dekhte hum Kis haal mai Hai'n Aur hamara haal Kaha'n Tak pahunch gaya Hai _,"
* Muslim Sharif-1/ 111 ,*
❀__ Un logo ki Darkhwast Aap Sallallahu Alaihivasallam qubool farmayenge aur Arshe Khudawandi ke niche ja Kar Parwardigaar e Aalam ke darbaar mai Sajda Rez ho jayenge aur Allah Rabbul Aalameen Usi Waqt Aapke Dil per Apni Hamdo Sana ke ese Shandaar Alfaz aur Tabiraat Ka alqa farmayenge Jo isse pehle kisi ke khwaab v Khayal aur tasavvur mai bhi na aaye honge , Ek Arsa Daraaz Tak ( Jiska ilm Allah hi ko hai ) Aap Sajde ki haalat mai Allah Ta'ala ki Hamdo Sana farmate rahenge , Fir Rehmate Khudawandi Ko Josh aayega aur Awaaz di jayegi :-
"__ Ey Muhammad ! Sar uthaiye Aapko ata Kiya jayega , Sifarish farmaiye Aapki Sifarish qubool ki jayegi _," *( Muslim Sharif -1/ 111)*
Chunache Aap Sar Uthayenge aur Sabse pehle Apni Ummat Ka hisaab Kitaab Jaldi Shuru kiye Jane ki Darkhwast karenge _," *( Fatahul Baari- 14/ 535 )*    
❀__Hisaab Kitaab Shuru karane ki Sifarish yahi Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Buland Tareen Maqaame mehmood hai , Jiska Tazkira Qur'ane mai Kiya gaya hai _," *( Fatahul Baari-14/ 520)*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
      *❥ Shafa'at Ki Aqsaam -❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Mash'hoor Sharah Hadees Qazi Ayaaz Reh. farmate hai'n k Shafa'at ki Paanch Qisme Hai'n :-
"__1- Maidane Mehshar ki Holnaak Nijaat aur Hisaab Kitaab Shuru karane ki Shafa'at, Ye hamare Aaqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ke Saath Khaas hai _,"
"__ 2 - Bahut se Ahle imaan ko bila hisaab Kitaab Jannat mai dakhil karane ki Shafa'at, Ye bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam se Saabit hai ,
   
"__3- Bahut se Ahle imaan ke liye Shafa'at Jinko Jahannam ki Saza sunayi ja chuki hogi Magar abhi Wo Jahannam mai na gaye honge ,( Ye Shafa'at Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam bhi farmayenge aur Baaz Digar Nek A'amaal wale Apne mutalliqeen ke liye karenge Jese Huffaaz e Qur'an aur Sheheed Vagera ) ,
"__ 4- Un Momino ke Shafa'at Jo Apni Bad Amaaliyo ki vajah se Jahannam mai Ja chuke honge, Unme se ba tadreej har ek Ambiya Alaihissalam, Malayka aur Digar Momino ki Sifarish se Jahannam se khalasi di jayegi ,
"__ 5- Jannatiyo'n ke liye Darjaat mai izaafa ki Shafa'at ,
* Fatahul Baari - 14/ 523,*
❀__ Aur Hafiz ibne Hajar Reh.ne in Aqsaam ( Jo Pichhle Part mai pesh ki ja chuki hai'n ) mai 4 qismo Ka izaafa farmaya hai :-
"__6 - Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Apne Chacha Abu Taalib ke Azaab mai takhfeef ki Shafa'at farmana ,
"__7- Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Jannat mai Sabse Pehle Apni Ummat ko dakhil karane ki Shafa'at farmana ,
"__8- Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka un  logo ke mutalliq Jannat mai dakhile ki Sifarish farmana Jinki Nekiya'n aur Buraiya'n bilkul barabar ho ,Jinhe Ashaabe A'araaf kaha Jata hai ,
"__9- Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka us Shakhs ke mutalliq Sifarish farmana Jisne Sirf Kalma padha Lekin koi Amale Saaleh uske A'amaal Naame mai na ho _,"
* Fatahul Baari - 14/ 523 ,*
   
❀__ Is tarah Sifarish ki Kul Aqsaam 9 ho gayi ,Aam Tor per Ahadeese Shafa'at mai Raaviyo'n ne darmiyani Waqi'aat Ki Kadiya'n Chhod di hai'n aur Hadees Padhne se maloom hota Hai k ibtedayi marhale hi mai Gunahgaar Ummatiyo'n ke Jahannam se nikaalne Ka Amal Shuru ho jayega , Halanki Esi baat nahi ,balki pehle Shafa'at e Kubra hogi , Jiske Baad Hisaab Kitaab,Wazan e A'amaal vagera ke marahil pesh aayenge , Taki Jannati Jannat mai aur Jahannami Jahannam mai bhej diye jayenge aur fir bil Aakhir gunahgaaro ko nikaalne ke liye Aap Sallallahu Alaihivasallam Shafa'at farmayenge ,Jise qubool Kiya jayega aur Koi adna ummati bhi Jahannam mai baqi na rahega _,"
* Fatahul Baari - 14/ 535-536,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
      *❥ Hisaab Kitaab Ka Agaaz.-❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa'ate Kubra ke Baad Rab Zuljalaal ki taraf se Hisaab Kitaab ki kaarwa'i Ka Agaaz hoga , Is Silsile Ka Sabse Pehla aqdaam ye hoga k Tamaam Logo'n Ke A'amaal Naame khud Unke haatho mai pahuncha diye jayenge, Nek Logo'n Ke A'amaal Naame unko Dahine haath mai ata honge , Isiliye unko Ashaabe AlYameen kaha Jata hai aur Bure Logo'n Ke A'amaal Naame unko Baaye haath mai thama diye jayenge, isliye unko Ashaabe Al Shimaal kaha Jata hai,
❀__Ek marfu Rivayat mai Hazrat Anas Raziyallahu Anhu irshad Farmata Hai'n k :-
"__ A'amaal Naame Sab Arsh ke niche mehfooz hai'n ,Jab Qayamat Ka Din hoga to Allah Ta'ala ek Khaas Hawa chalayega Jo A'amaal Naamo ko uda Kar ( Hasbe A'amaal ) unhe Logo'n Ke Daaye ya Baaye haatho mai pahuncha degi , Un A'amaal Naamo mai Ouper Ye Jumla likha hua hoga "_ Tu hi Padh le Kitaab Apni Tu hi Bas hai Aaj ke Din Apna hisaab lene Wala _,"
* Tazkirah - 3915,*
❀__Is Marhale mai to Nek Logo'n Ki Khushi Ka to koi thikana na hoga Jabki Kuffaar aur Bad Amal Logo'n ke Chehre Syaah pad jayenge, Qur'ane Kareem ne us Waqt Ka manzar is tarah Bayan farmaya hai :-
"__ So Jisko Mila uska likha daahine haath mai Woh Kehta hai lo padho Mera likha , Maine Khayal rakha is Baat Ka k mujhko milega Mera hisaab , So Woh hai'n manmaani Zindgi mai,Ounche Baag mai ,Jiske meve jhuke pade hai'n , Khao Piyo Ji bhar kar , Badla uska Jo Aage bhej chuke ho tum pehle Dino mai ,
Aur Jisko mila uska likha Baaye haath mai Woh Kehta hai Kya Achchha hota Jo mujhko na milta Mera likha , aur Mujhko khabar na hoti k Kya hai ,Hisaab Mera , Kisi tarah Wahi Maut khatm Kar jati ,Kuchh Kaam na aaya mujhko Mera Maal ,Barbaad Hui mujhse Meri Hukumat, Isko pakdo fir toq daalo ,Fir ek Zanjeer mai Jiski lambayi Sattar gaz hai isko jakad do , Woh tha k Yaqeen na laata tha Allah per ,Jo Sabse bada hai aur Takeed na karta tha Faqeer ke Khaane per ,So koi nahi aaj uska yaha'n Dost daar aur na kuchh milega khaana Magar zakhmo Ka dhowan ,Koi na khaye usko Magar Wohi gunahgaar _,"
* Al Haaqqa- 19 se 37 ,*
     ❀____Aur Surah kahaf mai Hisaab Kitaab ke Waqt ki Haalat is tarah Bayan ki gayi hai :-
"__ Aur saamne aaye Tere Rab ke Saf baandh Kar ,Aa pahunche tum hi hamare Paas Jesa Humne banaya Tha tumko pehle baar Nahi tum to kehte they k na muqarrar karenge hum Tumhare liye koi Vaada , aur raKha jayega Hisaab Ka Kaagaz ,Fir Tu dekhe gunahgaaro ko darte hai'n usse Jo usme likha hai , Aur Kehte hai'n Haay kharabi ! Kesa hai ye Kaagaz ? Nahi chhooti isse chhoti Baat aur na badi Baat ,Jo isme nahi aa gayi , Aur Payenge Jo kuchh Kiya hai Saamne , Aur Tera Rab Zulm na Karega kisi per _,"
* Surah Al Kahaf - 48-49,*
❀__ Shuru Shuru mai Kuffaar v Munafiqeen aur Bad Amal, A'amaal dekh Kar kuchh hujjat aur bahas ki koshish karenge ,Lekin khud Unke A'aza v Jawarah hi Unke khilaf gawahi denge Jiske Baad Kisi ko Hujjat Ka moqa hi nahi rahega ,aur ye bhi tamanna karenge k Unhe ek martaba Duniya mai bhej diya Jaye ,Magar isse bhi inkaar Kar diya jayega , Us Din Sarkasho ki Ruswaa'i Na-qabile Bayan hogi ,Sar jhuke hue honge ,Chehre Siyaah honge ,Aankhe neeli ho jayengi aur Wahshat aur Ghabrahat ke maare Cheekho Pukaar macha rahe honge , Allah Hum sabki hifazat Kare _,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Sabse Pehle Kis Cheez Ka Hisaab Hoga ?❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Duniyavi Mamlaat aur Huqooq mai Sabse pehle na-haq qatl ka Hisaab Hoga , Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Sabse Pehle Qayamat ke Roz Khoone Na -Haq ke bare mai faisla Kiya jayega _," *( ibne Kaseer-349)*
❀__Ek Hadees mai Waarid hai k maqtool Apne qatil ko Kheench Kar Arshe Khudawandi ke saamne layega aur are Karega k Parwardigaar Aalam ! Isse puchhiye k isne Mujhe Kis vajah se qatl Kiya hai ? Aur Ek Rivayat mai Hai k ,_" Agar tamam aur Asmaan wale Sab mil Kar kisi ek Musalman ko qatl Kare'n to Allah Ta'ala Un sabko Jahannam mai daal dega _,"
Aur Ek Martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs Kisi Musalman ko qatl karne mai Ta'wun Kare Agarche ek lafz bol Kar bhi ,to Qayamat ke Din is haalat mai aayega k Uski Peshani per likha hoga k Ye Allah ki Rehmat se mehroom hai _," *( ibne Kaseer -349 )*
❀__ Isliye Qatle Na-haq se ahatraaz Laazim hai, Agar koi Shakhs Kisi ese jurm Ka irtkaab Kare Jisse Wo jaani saza Ka mustahiq ho Jaye fir bhi kisi Aam Aadmi ko us per Saza Jaari karne Ka haq nahi hai , balki Saza Jaari karne ki Zimmedari islami Hukumat ki hoti Hai Jaha'n Waaqa'i islami nizaam qaa'im hoga Wahi Saboote Sahara'i ke Baad Saza Jaari ho sakti Hai Varna nahi ,Agar is Baat Ka Khayal na rakha Jaye to fir kisi Shakhs ki Jaan bhi mehfooz nahi reh sakti ,
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
          *❥.Namaz Ka Hisaab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ibadaat mai Sabse Pehle Poochh kuchh Namaz ke mutalliq hogi , Ek Rivayat mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Qayamat ke Din Sabse pehle Aadmi ki Namaz Ka Hisaab liya jayega agar Namaz durust nikli to Baqi'a A'amaal bhi Durust niklenge aur Namaz mai kharabi nikli to Baqi'a A'amaal aur kharaab honge _,"
* Targeeb v Tarheeb -1/ 150,*
❀__ Darje baala Hadees se Namaz ki ahmiyat Ka ba Asaani andaza lagaya ja sakta Hai, iske alawa bhi Ayaate Qur'aniya aur Hadeese Tayyaba mai Namaz ki Fazilat aur Azmat intehayi takeedi andaz mai Bayan Hui hai , Namaz ko Deen Ka Sutoon kaha gaya Hai aur iske bila ujr chhodne Wale ko Kaafiro aur munafiqo ke mushabe qaraar diya gaya Hai, isliye Ummate Muslima ke har Baalig Aaqil Mard Aurat per ye Laazim hai k Wo Paancho waqt ki Namaz Ka ahatmaam Kare , aur Apne Ghar walo aur Milne julne walo ko bhi Namaz Ka Aadi banaye Taki Maidane Mehshar ki ruswaiyo'n se hifazat ho sake ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Mazloom Aur Haq Talfiyo'n Ka  Badla ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar mai koi Zaalim bach Kar na ja sakega balki use zulm Ka badla dena hi pagega aur Waha'n Rupiya Paisa se Adaygi na hogi balki zulm aur Haq talfi ke badle mai Nekiya'n di jayengi aur Jab Nekiya'n baqi hi na rahengi to mazloom ki Buraiya'n Zaalim per laad di jayengi , Ye manzar bada ibratnaak aur hasrat naak hoga ,
❀__Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :- Jis Shakhs ne Apne Bhai ki Maali ya Zaati koi na insafi ki ho to us din ke aane se pehle Aaj hi maaf Kara le ,Jab Dinaaro dirham na honge ( k unse haq chukaya Jaye balki ) agar Uske Paas A'amaal e Saleha honge to wo mazloom Apne Haq ke ba qadr Nekiya'n le lega aur agar Uske Paas Nekiya'n na hogi to mazloom ki Buraiya'n le Kar us per laad di jayengi _,"
* Sahih Bukhari -1/33 ,Hadees-2385,*
❀__ Aur Ek Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba Sahaba Raziyallahu Anhum se Puchha k tum muflis aur Qallaash ( gareeb ) kise samajhte ho ? To Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz Kiya k Humme muflis to use kaha Jata hai Jis bechare ke paas dirham aur Samaan kuchh bhi na ho , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Meri Ummat mai muflis Wo hoga Jo Qayamat ke Din Namaz ,Roza aur Zakaat ( vagera ) le Kar aayega ( Magar ) usne kisi ko gaali di hogi ,Kisi Ka Maal udaya hoga ,aur kisi Ka khoon bahaya hoga aur kisi ko maara hoga ,To Uski Nekiya'n isko aur usko baanti jayengi ,fir jab uski Nekiyo'n Ka zakira Haq Walo ke Haq khatm hone se pehle khatm ho jayega to Unki Buraiya'n le Kar is per daal di jayengi aur fir ise Jahannam mai daal diya jayega _,"
* Muslim Sharif - 2/ 320 ,*
   ❀__ Ibne Maaja mai ek ibratnaak Waqi'a likha hai k Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jab Baaz Sahaba Raziyallahu Anhum habsha se Hijrat Kar ke Madina Munawwara tashreef laye to ek Din Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne unse Puchha k batao Sarzameene Habsha mai Tumne Sabse Hayrat Angez Baat Kya dekhi ,?
"__ To Baaz Nojawan khade hue aur Unhone Qissa sunaya k ,Hum ek martaba Habsha mai Sadak ke kinaare bethe they , k hamare saamne se ek Budhiya guzri Jisne SAR per Ek matka utha rakha tha , Mohalle ke Chand Shareer Ladke uske pichhe lag gaye aur use is zor se dhakka diya k Wo bechari gir padi aur Uska Matka foot gaya , To usne Shareer Ladke ko khitaab kar ke kaha k ,Ey Badtameez ! Yaad rakh Jab Allah Rabbul Aalameen Kursi nasb farma Kar Awwaleen v Akhireen ko jama farmayega aur Aadmi ke haath Payr Apne Kaale Kartooto ko khud hi Bayan Kar denge , Usi Din Tu dekh Lena k Mera aur Tera Maamla Rabbul Aalameen ke saamne kesa hoga ?
"__ Ye Sun Kar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Usne Sach kaha ,Usne Sach kaha , Wo Ummat ba izzat ho sakti Hai Jo Apne Kamzoro ke liye Taqatwaro se muwakhza na Kare , *( ibne Maaja- 299 )*
❀__Qayamat ke Din insaano ke alawa Zaalim Jaanwaro Tak se bhi hisaab liya jayega ,Ek Hadees mai irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :- Qayamat ke Din Tamaam Haqdaaro Tak Unke Haq zaroor pahunchaye jayenge Hattaki Be- Seeng Bakri ke liye Seeng Wali Bakri se qasaas liya jayega _," *( Muslim - 2/320 )*
*❀__ Isliye Akhirat per Yaqeen rakhne Wale Har Shakhs per Laazim hai k Wo Duniya hi mai Logo'n Ke Huqooq ke Tamaam Hisaab Kitaab Saaf kar le aur Yaha'n se is Haal mai rukhsat ho k us per kisi Ka koi haq na ho ,Varna ye Huqooq Akhirat mai badi Ruswaa'i Ka Sabab ban jayenge ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Na-Haq Zameen Qabza Karne Walo Ka Anjaam ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Bil khusoos Jaydaad Qabza karne wale ke mutalliq Ahadees Sahih mai Sakht Tareen Wa'iede waarid hui hai'n , Mash'hoor Mustjabad Da'waat Sahabi Hazrat Saied bin Raziyallahu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Naqal farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- 
"_Jo Shakhs ek Baalisht Zameen bhi Na-Jaa'iz Tor per daba le to ye hissa Saato Zameen se nikaal Kar uske Gale mai toq bana Kar daal diya jayega _,"
* Muslim Sharif - 2/ 32,*
❀__ Is Hadees ki Tashreeh mai Hazraate Muhaddiseen darje zail Aqwaal irshad Farmata Hai'n :-
1__ Saato Zameen se Mitti nikaal Kar use uthane Ka Hukm Diya jayega ,Jise Wo utha na sakega ,
2__ Ye Saari Mitti nikaal Kar uske Gale mai Waaqa'i toq bana Kar daal di jayegi aur Usi aitbaar se uski garden ko mota bhi Kar Diya jayega ,
3__ Use gasb Shuda Zameen ke niche Saato Zameen Tak khodne Ka hukm diya jayega aur khodte khodte Zameen ki haisiyat uske Gale mai toq ke maanind ho jayegi ,
4__ Is Gasb ke gunaah Ka wabaal uski gardan per laad diya jayega ,
❀__Bahar haal in Sab Baato se ibrat haasil Karna Laazim hai ,Afsos Ka muqaam hai k Ask Musalmano mai Zara Zara si jagaho ,Naaliyo'n aur Raasto per muqadme baazi ki Kasrat hai , Jitne rupye ki Zameen nahi hoti usse zyada Raqam muqadme baazi mai aur Rishwato mai kharch Kar di jati hai  , Aaj ye muqadme baazi achchhi lagti hai Kal Qayamat ke Din jab yahi Na-Haq Qaza Badtareen Ruswaa'i aur Zillat Ka Sabab banega tab Aankh khulegi , Isliye Aqalmandi Ka Taqaza ye hai k hum Apni Taaqat aur Daulat fizool Zaaya karne ke bajaye Qana'at Ka Raasta akhtyar Kare aur Akhirat ki Zillat se hifazat Ka intzaam Kare'n , Allah Ta'ala hum Sabko Aqle Saleem ata farmaye , Aameen ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Zakaat Ada na Karne Walo Ka Bura Haal ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Jo log Sahibe nisaab hone ke bavjood Zakaat ki Adaygi mai Kotaahi karte hai'n Unka haal bhi Maidane Mehshar mai ibratnaak hoga , Ek Taveel Hadees mai Aap Hazrat Sallallahu ne irshad farmaya :-
"__ Jo bhi Sone Chaandi Ka Maalik Unki Zakaat Ada na Karega to Qayamat ke Roz uske Maal KE pattar bana kar Jahannam ki Aag mai tapaye jayenge , Jinse uske Pehlu ,Peshani aur Peeth ko daaga jayega , Jab Woh pattar thande ho jayenge to unhe dobara ( garam ) Kiya jayega , Ye Maamla us din hoga Jiski miqdaar 50 Hazaar Saal ke barabar hai , Aur usko ye Azaab barabar hota rahega Taki Allah Ta'ala Makhlooq ke bare mai faisla farmayega ,fir ye dekh lega k uska thikana Jannat hai ya Jahannam _,"
* Muslim Sharif - 1/ 318 ,*
❀__ Isi Hadees mai Hai k Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ne Ounto aur Gaayo aur Bakriyo'n ke Maalik Maaldaaro ke Anjaam ke bare mai daryaft Kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Shakhs in Jaanwaro ki Zakaat Ada nahi karwga to Allah Ta'ala Chhaant Chhaant Kar Maidane Mehshar mai bade bade aur nokdaar Seengo wale Jaanwaro ke zariye us naadhinda Maalik ko Payro se rundwayega , aur Seengo se zakhmi karayega aur Ye Silsila Hisaab Kitaab mukammal hone Tak Barabar Jaari rahega, Allah Hamari hifazat farmaye ,( Aameen )
❀__Aur ek Hadees mai hai k Be Zakaat Maal Maidane Mehshar mai khatarnaak zehrile Azdahe ki shakl mai aa kar Apne Maalik Ka Peechha Karega Taki uske haath Pakad Kar chaba jayega _,"
* Muslim Sharif - 1/ 320,*
   
❀__ Maaldaaro ke liye bil khusoos ye AHadees ibratnaak hai , Zakaat ki Adaygi Ka ahatmaam Laazim hai , Varna iski nahusat Duniya mai zaahir hoti Hai aur Akhirat mai bhi iski Saza bhugatni padegi , Ye Maal Allah Ta'ala ki Amaanat hai,Agar usme se  Muqarrarah Farz hissa mustahiqeen ke hawale kar Diya Jaye to baqi poora Maal mehfooz ho jata Hai aur agar us hisse ki Adaygi mai Kotaahi ki Jaye to fir Anjaam ba Khayr nahi hoga , Lihaza Chand Roza Duniyavi Zindgi ki khaatir Akhirat ki Daaymi Ruswaa'i ko mol Lena danishmandi nahi hai ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qaumi Maal Mai Khayanat Karne Walo Ka Anjaam ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Isi tarah jo Shakhs " Gulool " Yani Qaumi Maal v Milli Mushtarak Maal mai Khayanat Ka murtakib hoga usko bhi badi Ruswaa'i Ka Saamna Karna padega , Qur'ane Kareem mai (Surah Aal-e-Imran, Aayat 161)mai hai :-
*_ وَمَن يَغْلُلْ يَأْتِ بِمَا غَلَّ يَوْمَ الْقِيَامَةِ _,*
*"_ Tarjuma _,* Aur jo khayanat Karega Woh khayanat karda Cheez le Kar Qayamat mai Haazir hoga _,"
❀__Aur Hadees mai farmaya Gaya k  , Jis Shakhs ne Jis Cheez mai khayanat ki hogi Wo Usi ko Apni gardan per laad Kar Maidane Mehshar mai aayega , Agar Maslan Ount liya hoga to wo gardan per chadh Kar Awaaz nikaal raha hoga , Aur ghoda churaya hoga to wo Sar per Hinhina raha hoga ,
*( Muslim Sharif-2/122)*
❀__ Isliye Milli aur Qaumi darje ke Fund ( Maslan Masjid aur Madarse ke Maal ) ko bila istehqaaq Apne istemal mai Lana Sakht khatra ki Cheez hai , Jo log Esi Zimmedariyo'n  per faa'iz hai'n Unko bil khusoos Maali Mamlaat mai intehayi Ahatyaat se Kaam lene ki zarurat hai ,Varna Akhirat ki jawab dehi se Wo Bach nahi sakenge , Allah Ta'ala hum Sabko Aakhirat ki jawab dehi se Mehfooz rakhe , Aameen .
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Takabbur Karne Walo Ka Anjaam ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Jo log Duniya mai Mutakabbir ban Kar rahe honge Qayamat ke Din Unki Zillat aur be waq'ati Ka Aalam ye hoga k Unhe Zameen per rengne wali chintiyo'n ki Soorat mai Maidane Mehshar mai laya jayega k Unhe Log Apne Payro se rondenge, irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :-
"__ Allah Ta'ala Qayamat ke Din kuchh logo ko Zaleel Chintiyo'n ki shakl mai uthayega ,Jinko log Apne Payro se rond rahe honge , Pas kaha jayega k ye log Chintiyo'n ki shakl mai Kyu hai'n ? To jawab milega k ye Duniya mai Guroor aur Takabbur karne wale they _,"
* Ravaah ibne Bizaar v Targeeb - 4/ 208 ,*
❀__ Yani Jo log Duniya mai Doosro ko Haqeer samajh Kar Unke Saath Zillat Angez bartaav karte they, Ese Mutakabbireen ko Qayamat ke Din Allah Ta'ala unki Awqaat Bata Dena aur Saare Aalam ke Payro tale rond Kar unhe zaleel farmayega , Isliye Apne Aapko Azeem Zillat se bachane Ka Raasta sirf ye hai k hum Apni islaah ki fikr Kare , Allah Ta'ala hum Sabko Tawazo ki Daulat se nawaze aur Akhirat ki Zillat aur Ruswaa'i se Mehfooz rakhe, Aameen .
 *
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Gaddaari Aur Bad Ahadi Karne Wale Ki Ruswaa'i ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Gaddaari Karna aur Ahad  todna bhi Islam mai bad Tareen gunaah hai , Ese Gaddaar aur Bad Ahad logo ko Maidane Mehshar mai Sakht Ruswaa'i Ka Saamna hoga , Bad Ahad ki sare Aaam Ruswaa'i aur fazihat ke liye uske pichhe ek Alamati jhanda uski chhoti badi Gaddaari ke baqadr laga diya jayega, Jise dekhte hi log pehchan lenge k ye Gaddaar hai ,
❀__Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :- Jab Allah Ta'ala Qayamat ke Din Awwaleen v Akhireen ko jama farmayega to har Gaddaar ke liye ( Alamat ke Tor per ) Alag jhanda laga diya jayega aur kaha jayega k ye Fala ke bete fala Shakhs ki Gaddaari ( ki alamat ) hai _,"
* Muslim Sharif - 2/ 83 ,*
❀__ Isliye Gaddaari aur Ahad Shikni se bachna bhi Laazim hai, Ye esa jurm hai k Akhirat mai to iski Saza hai hi , Duniya mai bhi Gaddaro ko Hamesha Zillat aur Hiqarat hi se Yaad Kiya Jata Hai, Aur Sadiyo'n guzarne ke Baad bhi un per laan taan Ka silsila jari rehta Hai, Gaddaari aur Bad Ahadi kisi ke Saath Jaa'iz nahi Hattaki Agar gair Muslim se bhi koi Mu'ahida Kar liya Gaya hai to uski Paasdaari bhi Laazim hai ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Mizaane Amal ( Amal Ka Tarazu ) ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qayamat ke Roz Allah Ta'ala Apne Azimush Shaan Adlo insaaf ke Muzahire ke liye Makhluqaat ke A'amaal tolne ke liye " Tarazu " qaa'im farmayega , irshade Khudawandi hai :-
"__ Aur Waha'n Qayamat ke Roz hum Mizaane Adl qaa'im farmayenge , So kisi per aslan zulm na hoga aur agar kisi Ka Amal Raa'i ke Daane ke barabar bhi hoga to hum usko Waha'n Haazir Kar denge aur hum hisaab lene Wale Kaafi hai'n _,"
*_( Surah Ambiya -47 )*
❀__ Aur Doosri jagah irshad farmaya hai :-
"__ Aur us Roz Wazan bhi Waaq'a hoga ,Fir Jis Shakhs Ka palla bhari hoga So ese log Kaamyaab honge aur Jiska Palla Halka hoga So Wo log honge jinhone Apna nuqsaan Kar liya , Ba Sabab iske k Hamari Aayato ki Haq talfi karte they _,"
*_( Surah A'araaf - 9 )*
❀__Is Azeem Tarazu ke ek Palle mai Duniya jahaan ki wus'ate sama jayengi aur Sayyadul Malayka Hazrat Jibraiyl Alaihissalam tolne ke Zimmedar muqarrar honge _,"
* Fatahul Baari -16/ 659 , Qurtubi - 6/ 201 ,*
  ❀__  Ye bada nazuk Waqt hoga , Jiski Nekiyo'n Ka Palla Jhuk jayega Wo Azeem Surkhu'i se Sarfaraz hoga , aur Jiski Nekiyo'n Ka Palla Halka Reh Jaye Yani Uski Buraiya'n gaalib hongi to uski Zillat Na-qabile Bayan hogi , 
❀__Ek Hadees mai irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :-
"__ Aadmi ko Qayamat ke Din laa Kar Mizaane Amal ke Dono Pallo se Saamne khada kiya jayega aur us jagah ek Farishta muqarrar hoga , Agar Uska ( Nekiyo'n Ka ) Tarazu Bhaari raha to Woh Farishta ye Elaan Karega Jese Saari Khalqe Khada sun legi k ," _ Fala Sa'adat yaab ho gaya ,Ab Woh kabhi bad qismat na hoga _," aur agar ( Khuda na Kare ) Unka ( Nekiyo'n Ka ) Tarazu Halka reh gaya to Farishta Aam Elaan Karega k , _" Fala Shakhs Esi mehroomi mai giraftaar ho gaya ,k Ab kabhi bhi Sa'adat se bahrahvar na ho sakega _,"
* Qurtubi- 2/201, Kanzul Ummaal-14 / 166 ,*  
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥. Tarazu Mai A'amaal Kese Tole Jayenge -*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Yaha'n Qudrati Tor per ye Sawal Paida hota Hai k insaan A'amaal to karta hai Magar Wo karne ke Baad Ba-Zaahir khatm ho Jate hai'n aur Zubaan se nikli Hui baat fiza mai tehleel ho jati hai, Fir Aakhir unko tola kese jayega ? Is imkaani Sawal Ka jawab dete hue Mash'hoor mutassir aur Muhaddise Jaleel Hafiz Imamduddeen ibne Kaseer Reh. ne irshad farmaya k is bare mai Ulma ke Teen Aqwaal hai'n :-
*❀__ Pehla Qaul -,* _ ye hai k Khud A'amaal hi ko tola jayega Magar unhe Akhirat mai Allah Ta'ala Hasbe munasbat Jismani Soorto'n mai Tabdeel farma dega , Fir Unhi Jismo ko Tarazu mai rakh Kar tola jayega,
Kuchh isi tarah ki Baat Hasrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se bhi marvi hai , Aur Sahih Rivayaat mai vaarid hai k Qayamat ke din Surah Baqrah aur Surah Aale imraan Parindo ke " Bade Jhund " ki shakl mai aayengi , Aur Ek Rivayat mai Hai k Qur'ane Kareem Apne padhne wale ke paas ek nihayat Khoob ru jawan ki shakl mai aata Hai, Jab Padhne Wala puchhta hai k Tu Kon hai ? To Wo Kehta hai k Mai'n Tera Wo Qur'an hu'n Jisne tujhe Raato ko jagaya aur Din mai Garmi bardasht karayi ,
❀__Isi tarah Hazrat bin Aazib Raziyallahu Anhu ki Qabr ke Sawaal se mutalliq Hadees mai Vaarid hai k Momin ke paas ek Khoobsurat Nojawan Atr beezi ke Saath aayega ,Wo Momin usse puchhega k Tu Kon hai ? To kahega Mai'n Tera Nek Amal hu'n ,Jabki Kaafir aur Munafiq ke Saath iske bar aks Maamla hoga , ( Mazkoora teen Rivayaat Pehle Qaul ki Taa'id karti hai'n ) 
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Doosra Qaul Ye hai k A'amaal neeme aur Register tole jayenge , Iski Ta'iyd is Waqi'a se hoti hai k,
"__ Qayamat ke Roz ek Shakhs ko laya jayega aur Uske Saamne Buraiyo'n ke ninyanve register rakhe jayenge aur Har Register Ta hadde Nazar ( Jaha'n Tak nazar  jayegi ) Vasia ( Lamba choda ) hoga , Fir ek Chhoti si parchi Layi jayegi Jisme " Laa ilaaha illallaah " likha hoga , Wo Banda Arz Karega k itne Azeem Registero ke muqable mai ye Parchi bhala kese nafa degi ?,
To Allah Ta'ala farmayega k Tere Saath zulm nahi Kiya jayega , Chunache us Parchi ko doosre Palle mai rakhe Jane Ka Hukm hoga , Uske Rakhte hi Nekiyo'n Ka Palla Jhuk jayega, Imaam Tirmizi Reh. ne is Hadees ko Sahih qaraar diya Hai ,

       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Teesra Qaul ye hai k Khud Sahibe Amal ko Tarazu mai rakh kar tola jayega , Chunache Hadees mai Vaarid hai k ,
"__ Qayamat Ke Din ek bada Bhaari mota taza Aadmi laya jayega Magar Allah ke Tarazu mai uska Vazan Machchhar ke Par ke barabar bhi na hoga _,"
❀__ Irshade Khudawandi hai ,(Surah Al-Kahf, Aayat 105)
*"_ فَلَا نُقِيمُ لَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَزْنًا _,*
*"__ To Qayamat Ke Roz hum Unke Nek A'amaal Ka Zara bhi Vazan qaa'im nahi karenge _,"*
❀__ Aur Ek Hadees mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Sayyadna Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ki Qadr Afzaa'i farmate hue irshad farmaya k ,
"__ Kya Tumhe inki dubli pindliya'n dekh kar Tajjub hota Hai ? Us zaat ki qasam Jiske qabze mai Meri Jaan hai Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu ki Do pindliya'n Mizaane Amal mai Uhad Pahaad se bhi zyada Bhaari aur Ba Vazan hai'n _,"
Hafiz ibne Kaseer Reh.farmate hai'n k in teeno Aqwaal mai Jama ki shakl ye hai k har Qaul Apni jagah Sahi hai aur Qayamat ke Roz Soorate haal Alag Alag hogi , Kabhi A'amaal bizzate khud tole jayenge, kabhi Sahife tole jayenge aur Kabhi kisi ko hi bizzate khud tola jayega, Hafiz ibne Hajar Reh.ne in me se Avval Qaul ko tarjeeh di hai ,
* Fatahul Baari- 6/ 659 , Tafseer ibne Kaseer Mukammal - 515,*    
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Tarazu mai Kin Logo'n Ke A'amaal Tole Jayenge? ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Mohaqqiqeen Ulma Ke nazdeek Qayamat ke din log A'amaal ke aitbaar se Teen qismo per mushtamil honge , Avval Woh jinke Naama A'amaal mai sire se kisi Buraa'i aur Gunaah Ka vajood hi na hoga ,Unke Paas bas Nekiya'n hi Nekiya'n hongi , isi tarah ke Afraad Ummate Muhammadiya Sallallahu Alaihivasallam mai badi tadaad mai honge , Unko hisaab Kitaab aur Wazane A'amaal ke bager Sidhe Jannat mai Jane Ka faisla hoga ,
❀__Doosre Woh Kuffaar Jinke paas Kufr ke Saath koi Achchha'i kisi tarah na hogi ,Ese logo ko bila Wazane A'amaal Jahannam raseed karne Ka hukm hoga ,
❀__"_Teesre Woh Be Amal Musalman aur Kuffaar honge Jinhone khalat malat A'amaal kiye honge ,Yani Unhone kuchh Nekiya'n bhi ki hongi Magar Wo Nekiya'n Kufr ke muqable mai be haisiyat hongi , Albatta kisi qadar Azaab ke Darjaat Kam karne mai Mu'awin banengi , Ese  logo ke A'amaal Tole Jayenge aur Nekiyo'n Ka Palla Halka aur Bhaari hone ke aitbaar se Jannat ya Jahannam ke Darjaat Ka faisla hoga , Aur kuchh logo ki Nekiya'n aur Buraiya'n dono bilkul barabar hongi , Unhe A'araaf mai rakh Kar intezar karaya jayega bil Aakhir ek arsa ke Baad Unki Sifarish qubool Kar ke Jannat mai bhej diya jayega . In Sha Allah ,
*  Fatahul Baari- 16/ 658-659,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Nekiyo'n ke Wazan mai izaafa Kese ? ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Allah Ta'ala ke Nazdeek Nekiyo'n ki qadaro qeemat aur Wazan mai izaafa Khuloose Qalb aur ikhlaas ki kaifiyat se hota hai , Jitna zyada Huzoore Qalbi aur Mahaz Raza e ilaahi ke Jazbe se Amal Kiya jayega, Usi Aitbaar se Uska Wazan badhta Chala jayega aur is Jazbe mai Jitni kami hogi wese hi Akhirat mai Wazan Ke Andaz mai bhi kami ho jayegi , Agar Khuloos se Amal kiya Jaye to Wazan mai Taraqqi Ka Aalam ye hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Aur Kalma ' Alhamdulillah '( Qayamat ke Roz itne bade jism mai aayega k Akele ) hi Mizaane Amal ko bhar dega _,"
* Muslim Sharif- 1/ 118,*
❀__ Aur pehle Hadees guzar chuki hai k " Laa ilaaha illallaah " ki Parchi rakhte hi Nekiyo'n Ka Palla Jhuk jayega, Ye Wo zikre Khudawandi hai Jo Usne kabhi Zindgi mai Kaamil ikhlaas se Makhlooq se be garaz ho Kar Kiya hoga , Allah Ta'ala uske ikhlaas ki badaulat usko nihayat wazni bana dega _," *( At Tazkirah - 361 )*
❀__Ek Rivayat mai ye bhi hai k Ek Momin ke A'amaal Tole Jate Waqt Jab uski Nekiyo'n mai Kuchh kasar reh jayegi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ek Parchi Nekiyo'n ke Palle mai daalenge Jisme uska Zindgi mai Aap Sallallahu Alaihivasallam per Darood Sharif padhne Ka zikr hoga , Uske Rakhte hi Nekiyo'n Ka Palla Jhuk jayega _," *( At Tazkirah- 361 )*
"__ Al garaz Nekiyo'n mai Wazan ikhlaas se aata Hai , Agar ikhlaas ho to dekhne mai chhote se chhota Amal Akhirat mai bada Bhaari ho jayega aur Agar ikhlaas na ho to dekhne mai Bahut bade nazar aane wale A'amaal Akhirat mai qat'an be wazni aur be haisiyat ho jayenge , *( Allah hum Sabko ikhlaas ki Daulat se Malamaal rakhe , Aameen ),*
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ke A'amaal Sabse Zyada Wazni Hone Ka Sabab ? ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazraate Sahaba Raziyallahu Anhum ke Saari Ummat se Afzal hone ki vajah bhi yahi hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Pur faiz Sohbat ki vajah se unko esa Kaamil Jazba e Ikhlaas Naseeb hua tha Jiski nazeer Baad mai bhi nahi payi jati , isi ikhlaas ne Unke A'amaal ko had darja Wazni bana diya k Baad mai aane wala koi Ummati Apne bade se bade Amal ke zariye bhi Unki Gard ko nahi pahunch Sakta , isliye Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:- 
"__ Mere Sahaba ko bura Bhala mat kaho , Mere Sahaba ko bura Bhala mat kaho, isliye k us zaat ki qasam Jiske qabze mai Meri Jaan hai Agar Tumme se koi Shakhs Uhad Pahaad ke barabar Sona bhi Sadqa Kar de Fir bhi mere Sahaba ke ek mud balki Aadhe mud galla ( Sadqa karne ) ke sawab ko na pahunch Payega _,"
* Muslim Sharif - 2/ 310, Bukhari Sharif-1/ 518, Tirmizi Sharif-2/ 225*
❀__ Isliye Agar hum chahte hai'n k hamare A'amaal e Saleha mai zyada se zyada Wazan Paida ho aur hamare Darjaat mai izaafa ho to Hume har Marhale per ikhlaas ko peshe Nazar rakhna hoga , Aur Mahaz Raza e ilaahi ko maqsood bana kar ibadaat Anjaam deni hogi , Allah Ta'ala hum Sabko iski fikr ata farmaye aur Riya vagera se mehfooz rakhe , ( Aameen )
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Baaz Wazni A'amaal Ka Zikr ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Pehle like kiya ja chuka hai k har Amal mai Wazan ikhlaas se aayega Chahe Koi bhi Amal ho  , Fir bhi Ahadees Paak mai  Baaz A'amaal v Azkaar ko Khaas Tor per Wazni bataya gaya hai , Maslan Ek Hadees mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Mizaane Amal mai rakhi Jane wali koi Cheez  Husne Akhlaaq se Bhaari nahi hai , Husne Akhlaaq se muttasiaf ( Sifat rakhbe Wala ) Shakhs Apni is Sifat ki badaulat ( Nifl ) Roze rakhne aur Namaz padhne wale Ke darje Tak Pahunch Jata Hai _,"
* Tirmizi Sharif-2/20,*
❀__ Waaqa'i Husne Akhlaaq Esi Sifat hai Jo insaan ko Duniya mai bhi izzat deti Hai aur Akhirat mai bhi use Azeemusshaan izzat se Sarfaraz karegi , Ek Hadees mai irshad hai k Allah Ta'ala ne Hazrat Ibrahim Alaihissalam se irshad farmaya k , "_ Husne Akhlaaq se Muttasaf Shakhs ke mutalliq Mera faisla Atal hai k Use Qayamat ke Din Arsh ke Saaye mai jagah dunga aur Apne Hazeerah ( Pados ) Aqdas se sairaad karunga , Aur Apne qurb se nawazunga _," *( Tabrani )*
❀__ Isi tarah Tasbeeh v Tamheed Ke Kalimaat Allah Ta'ala ke Nazdeek intehayi Ba Wazan hai'n , Bukhari Sharif ki Aakhri Hadees hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Do bol rehman ko Bahut Pasand hai'n , Zubaan per Bahut Halke Fulke hai'n Mizaane Amal mai Bahut Bhaari hai'n ( Woh Kalme Ye hai'n ) *_ Subhanallaahi Wa bihamdihi Subhanallaahil Azeemi _,* 
* Bukhari Sharif - 2/ 1129 ,*
❀__ Aur Ek Rivayat se Maloom hota hai k Nekiyo'n ke Palle ko Wazni banane mai ye Baat bhi Kaam aayegi k Kisi shaks per kisi ne koi Bohtaan lagaya hoga aur Woh usse Bari hoga to Us Bohtaan ki vajah se use Jo Qalbi Takleef pahunchegi Yahi Takleef Usko qabile Raham bana degi ,
❀__Ek Rivayat mai Hai k Ek Aadmi Qayamat ke Din laya jayega aur Uski Nekiya'n ek Palle mai aur Buraiya'n doosre Palle mai rakh di jayegi , Pas Buraiyo'n Ka Palla Jhuk jayega ,Fir ek Parchi aayegi Jo Nekiyo'n ke Palle mai rakhi jayegi Jiski vajah se Wo Palla Jhuk jayega , To Woh Aadmi ( Hairat se ) Puchhega k Ye Parchi kesi hai ? Isliye k Maine Jo Raat Din mai A'amaal kiye they Wo Sab mere saamne aa chuke , to kaha jayega k ye Parchi Us ( Bohtaan ) ke bare mai hai Jo tujh per lagaya gaya Tha Jabki Tu usse  Bari tha , Chunache uske zariye Wo Nijaat pa jayega ,
❀__Gor farmaiye Jab Ek Mubarra ( Paak Saaf ) Shakhs per Bohtaan baandhna Esi Cheez hai k Jisse Wo Mubarra Aadmi Allah Ta'ala ki nazar mai qabile Reham ban Jata hai to isse andaza lagaiye k Khud Bohtaan lagane wale ke liye ye Buraa'i kitni Wazni hogi ? Jo use Allah ki Rehmat se use door Kar degi , isi Bina per Hazrat Ali Karamullah Wajhu Ka irshad hai :-
"__ Ek Bari Shakhs per Bohtaan baandhna Sab Aasmano se zyada Wazni ( Buraa'i ) hai _," *( Tirmizi- 1/ 120 , Kanzul Ummal - 14/ 165)*
Allah Ta'ala hum Sabhi Musalmano ko Bohtaan Taraziyo'n se mehfooz rakhe _, Aameen.   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Rehmate Khudawandi Ka Zabardast Muzahira ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ye Agarche Haq hai k Allah Ta'ala Maidane Mehshar mai insaaf ki Tarazu qaa'im farmayega Taki har ek ke saamne uska Amal aur uski Haisiyat aa Jaye , Taham Us Din Ar Hamar Rahemeen Apne Bando ke Saath intehayi Reham v Karam ,Afu v Darguzar Aur Rehmat Ka Maamla bhi farmayega ,
❀__Hazrat Salman Faarsi Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Allah ki Rehmat Ke So ( 100 ) Juzv hai'n Jinme se Sirf ek Juzve Rehmat Ka Asar hai k Makhlooq Aapas mai ek doosre per Meharbani karti Hai aur us Rehmat ke Ninyanve ( 99 ) Ajza Qayamat ke Din ( Magfirat ke liye) makhsoos hai _,"
* Muslim Sharif - 2/ 356 ,*
❀__ Chunache Maidane Mehshar mai Ar Hamar Rahemeen ki taraf se Jis Rehmat Ka Muzahira hoga Wo na qabile tasavvur hai , iski ek jhalak ek jhalak is Rivayat mai Bayan farmayi gayi hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Qayamat mai ek Shakhs ko laya jayega aur ( Farishto ko ) hukm hoga k abhi sirf iske chhote gunaah pesh kiye Jaye aur bade rok kar rakhe Jaye , Chunache uske chhote Gunaaho ki peshi hogi aur usse Puchha jayega k Tumne Fala Fala din ye Kiya ? Tumne Fala Fala din ye Kiya ? To Wo isbaat mai jawab dega ,inkaar na Kar sakega aur ( Dil Dil mai) bade Gunaaho ki peshi se darta rahega , To usse kaha jayega k ( Ja ) tujhe har Buraa'i ke badle mai Neki ata ki jati hai , To Wo foran ( ya to Dara ja raha tha ya) ye bolega k Ey mere Rab ! Kuchh aur A'amaal bhi to Maine kiye they Wo yaha'n Mujhe dikhayi nahi diye ( maqsood ye hoga k Wo bhi saamne aaye Taki Unke badle mai bhi Nekiya'n mile )_,"
* Muslim Sharif - 1/ 106 ,*
"__ Raavi kehte hai'n k Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ye Hadees irshad farma rahe they to Chehre per Muskurahat Fayl rahi thi Hattaki Aap ke dandaane Mubarak bhi zaahir ho gaye they , Baharhaal us din bahane bahane se Ahle imaan ki magfirat aur Rafa Darjaat ke Faisle honge , Ar Hamar Rahemeen ki taraf se fir poori Rehmat Ka zahoor hoga , Allah Ta'ala hum Sabko Apni Rehmat Taamma  Ka mustahiq banaye , Aameen.
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
     *❥ Arsh Ke Saaye mai -.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar mai na koi imaarat hogi  , na koi darakht hoga ,na kisi Ka tent hoga ,na kisi tarah Ka saayabaan hoga balki Sab ek Chatiyal Maidaan mai is tarah jama honge k har Shakhs ek doosre ko dekh Kar Keh Raha hoga aur Ek doosre ki Aawaz sun raha hoga , Us Din agar Saaya hoga to Sirf Arshe Khudawandi Ka Saaya hoga aur Jo Khush Naseeb Arsh ke Saaye mai pahunch jayega Usko fir kisi qism ki Pareshani nahi hogi , Goya k Arsh Ka Saaya Allah ki taraf se Apne makhsoos aur muqarrab Bando ke liye Khusoosi Nashistgaah ke Tor per istemal hoga ,
❀__Mat'addid Ahadees mai un Khush Naseeb Afraad ki fehrist Bayan Hui hai Jinke bare mai Allah Ta'ala ne Qayamat ke din Apne Arsh ke niche Aizaaz ke Saath bithane Ka elaan farmaya hai , Muslim Sharif mai Rivayat hai k :-
"__ Saat Aadmiyo'n ko Allah tabarak wa Ta'ala us Din Apne ( Arsh ) ke Saaye mai rakhega Jab uske Saaye ke alawa kisi Ka Saaya na hoga ,
(1) Aadil Badshaah
(2) Wo Jawan Jo Allah ki ibaadat mai Parwaan chadhe ,
(3) Wo Shakhs Jiska Dil Masjid mai atka rahe ,
(4) Wo Aadmi Jo ek doosre se Sirf Allah waaste Ka Talluq rakhe Usi per jama ho'n aur Usi per Alag ho'n ,
(5) Aur Wo Aadmi Jise koi Ba Vajahat Khoobsurat Aurat ( Badkaari ki) Dawat de to wo jawab mai Kahe k Mai'n Allah Se darta hu'n ,
(6) Aur Wo Shakhs Jo itne khufiya Tareeqe per Sadqa Khairaat Kare k uske Daaye haath ko bhi ye pata na chale k Baaye ne Kya kharch kiya ,
(7) Aur Wo Aadmi Jo Tanhayi mai Allah Ta'ala ko Yaad Kare fir uski Aankhe dab daba aaye ,
* Muslim Sharif - 1/ 331,*
❀__  _ Magar ye takhsees saat hi tarah ke Hazraat ke Saath nahi balki Digar Baaz Ahadees mai aur A'amaal per bhi isi Aizaaz Ka elaan Kiya gaya hai ,
"__ Jo Shakhs kisi tangdast ko mohlat de ya uska Qarz maaf Kar de to Allah Ta'ala use us Din Apne Saaye mai jagah ata farmayega Jabki uske Saaye me Siva kisi Ka Saaya na hoga _,"
* Muslim Sharif - 2/ 416, Fatahul Baari- 3/ 183,*
❀__ Iske alawa Hafiz ibne Hajar Reh. ne in Sifaat ki fehrist mai ek mustaqil risala " Ma'arifatul Khisaalil Mosilati ilalz zilaali " ke naam se likha hai ,Jisme darje baala Sifaat me Saath ,darje zail A'amaal ko bhi Shamil farmaya hai :-
(1) Mujahid Fi Sabilillaah ki madad karna ,(2) Qarzdaar ke Qarz ki Adaygi Karna, (3) Gulaam ki Azaadi mai madad Karna ,(4) Logo ke Saath Khush Akhlaqi se pesh aana, (5) Baar baar Gam se saabqa padna ,(6) Amaanat v Dayanat ke Saath Tijarat Karna ,(7) Masjid ki taraf chal Kar Jana ,(8) Nagawari tab'a ke bavjood Kaamil vazu Karna ,(9) Bacha hua Khanna mohtaaj ko khilane Ka mamool bana Lena ,(10) Apna Haq Fitne ke Dar se Chhod Dena ,(11) Kisi zarurat mand ki kifalat Karna _,"
* Fatahul Baari- 3/ 183,*
❀__Bahar haal Duniya hi mai Hume ye koshish Karni chahiye k hum ese A'amaal akhtyar Kare k Hume Maidane Mehshar mai Aizaaz v ikraam ke Saath Arshe Khudawandi Ka Saaya ba Aafiyat Naseeb ho Jaye ,Hamare Aaqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ka ye hum per Azeem Ahsaan hai k Aapne Hume in Asbaab ki khabar ataa farma di hai ,in Tamaam tafsilaat ke aane ke bavjood agar koi Shakhs Kotaahi karta Hai to usse bada mehroom aur koi nahi ho Sakta ,    [
┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Har Shakhs Apne Mehboob ke Saath Hoga  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Saied ibne Juber Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek martaba ek Ansari Sahabi Raziyallahu Anhu is Haal mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Haazir hue k Unke Chehre se Huzn ( Ranj ) v Malaal ke Asaar numaya they , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne unhe dekh Kar farmaya, Kya Baat hai ,Tum kuchh gamgeen Nazar aa rahe ho ? To un Sahabi ne arz Kiya k -
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Ek baat Soch Kar  Mujhe Gam ho raha hai ,
Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Wo Kya Baat hai ?
To arz Kiya k - baat ye hai k Aaj  to hum Alhamdulillah Subeh Shaam Aapki Ziyarat aur Majlis mai Haazri se mustafeed Hote hai'n Lekin Kal Aakhirat mai Aap to Ambiya Alaihissalam ke Saath Ounche darje per honge , ( Hamari Waha'n Tak Kaha'n rasaa'i hogi ? )
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne koi jawab marhamat nahi farmaya ,is per Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ye Aayat le Kar tashreef laye :- *(Surah An-Nisa, Aayat 69)*
*__ وَمَن يُطِعِ اللَّهَ وَالرَّسُولَ فَأُولَٰئِكَ مَعَ الَّذِينَ أَنْعَمَ اللَّهُ عَلَيْهِم مِّنَ النَّبِيِّينَ وَالصِّدِّيقِينَ وَالشُّهَدَاءِ وَالصَّالِحِينَ وَحَسُنَ أُولَٰئِكَ رَفِيقًا _,*
*"__ Aur Jo koi Hukm maane Allah ka aur Uske Rasool Ka so woh Unke Saath hai'n, Jin per Allah ne in'aam Kiya k Woh Nabi aur Siddiq aur Shaheed aur Nek Bakht Hai'n Aur Achchhi hai Unki Rafaqat _,"*
Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Mazkoora Sahabi ko bulaya aur is Aayat ki khushkhabri se agaah farmaya _,"
* Tafseer ibne Kaseer Kaamil - 321,*   
❀__ Isi tarah Bukhari v Muslim vagera ki Rivayat mai Hai k , _"_ Jo Taajir Sidaq ( Sachcha'i ) v Amaanat ke Saath Tijarat karta hai to uska Hashr Qayamat ke Din Hazraate Ambiya, Hazraate Siddiqeen, Shohda aur Saleheen ke Saath Hoga _,"
❀__Isi Hadees se ye bhi Maloom ho gaya k Agar Bad Amal se Muhabbat hai to Hashr bhi unhi ke Saath Hoga , Isliye Hume Sochna chahiye k Hum Kise Mehboob bana rahe hai'n ? Aur sirf ese hi Shakhs se Muhabbat rakhni chahiye Jiski Muhabbat hamare Liye Akhirat mai nafa Bakhsh ho sake ,    
┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Hafize Qur'an Ke Walden Ka Aizaaz  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qur'ane Kareem ke Aizaaz ke zariye se  na sirf ye k Hafiz ko izzat milegi balki Mehshar mai Hafize Qur'an Ke Walden ko bhi Shaandaar Aizaaz se nawaza jayega , Aur Ek Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jo Shakhs Qur'an e Kareem padh Kar us per Amal Kare to uske Walden ko Qayamat ke Din esa ( Shaandaar ) Taaj pehnaya jayega Jiski Roshni us Suraj ki Roshni se kahi'n umda hogi Jo Duniya ke gharo mai nikla hua ho , Agar Tumhare gharo mai ho ( Yani ) jab itni door se Suraj poori Duniya ko munawwar karta Hai to qareeb karne per uski roshni Ka Kya haal hoga ? Pas ( jab Walden Ka ye haal hai ) to Tumhara Qur'ane Kareem per khud Amal karne wale ke bare mai Kya Khayal hai ? ( Yani isse andaza Kar lo )
*" Mishkaat Sharif-186 ,*
❀__ Aaj ke maaddiyat Parast mahol mai agar koi Allah ka Banda Apne lakhte Jigar ko Hifze Qur'an Kareem ki taleem dilata hai to use tarah tarah KE nagawaar Tabeero se saabqa Padta hai , in Sab Baato ko bardasht karne aur Apni Aulaad Ki Behtreen Dini Tarbiyat dene ke sile mai Walden ko Tamaam Avvaleen v Akhireen ke Saamne wo izzat milegi Jiska  tasavvur Duniya mai Kya kiya hi nahi ja Sakta,
❀__Is Hadees mai ese Walden ke liye intehayi Azeem Khush khabri hai , Allah Ta'ala har Musalman ko is Azeem Khush khabri Ka mustahiq banaye _, Aameen.   
┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Mehshar mai Noor Ke Mimbar ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar mai ek Waqt esa bhi aayega k Jabaja Noor ke Roshan aur Munawwar Mimbar qaa'im Kar diye jayenge , Jin per Wo log tashreef farma honge Jo Aapas mai ek doosre se Sirf Allah Waaste Ka Talluq rakhte honge , Jinki Haalat Ambiya aur Shohda ke liye bhi Qabile Rashk hogi ,
❀__Ek Rivayat mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Allah Ta'ala irshad Farmata Hai :--
"__ Meri Azmat v Jalaal Ki vajah se Aapas mai talluq v Muhabbat rakhne walo ke liye Qayamat mai Noor Ke Mimbar honge Jin per Ambiya Alaihissalam aur Shohda bhi Rashk karenge ( Yani Unki tareef karenge )_,"
* Mishkaat Sharif - 426,*   
┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
        *❥ Chaar Umoomi Sawal.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maidane Mehshar mai Sabse 4 Baato ki tehqeeq ki jayegi , jis Shakhs ne in Chaar sawalaat Ka jawab Apni Amali Zindgi mai Sahi diya hoga Wo Kaamyaab hoga aur Jisne Kotaahi aur gaflat mai Zindgi guzaari hogi Wo nuqsaan aur khasare mai rahega , Wo Sawalaat Kya hai'n inke bare mai Paigambar Alaihissatu Wassalam ne irshad farmaya :-
"__ Kisi Shaks ke qadam Qayamat ke Din us Waqt Tak Apni jagah se na hatenge Jab Tak k Chaar Baato ki usse Poochh kuchh na ho Jaye ,
(1) Umr Kaha'n lagayi ?
(2) Jawani Kaha'n ganwayi ?
(3) Maal Kaha'n se Kamaya aur Kaha'n kharch kiya ?
(4) Aur ilm per Kya Amal Kiya ?
* Targeeb v Tarheeb -4/ 214 ,*
❀__ Isliye Aqalmandi Ka Taqaza hai k Hum Duniya hi mai in sawalo Ka Behtar jawab dene ki taiyaari Kare'n Taki hum Akhirat ke imtihan mai Surkh Ru ho sake'n , Allah Ta'ala Hume tofeeq se nawaze , Aameen .  

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Maidane Mehshar mai " Jahannam " Ko laye Jane Ka Manzar ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qayamat ke Din Nihayat Azeem Wus'at aur Azaab wali " Jahannam ko Kheench Kar laya jayega , Uski kaifiyat kitni Wahshatnaak hogi iska andaza is Hadees se lagaya ja sakta Hai , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Qayamat ke Din Roz Jahannam Ko is Haal mai laya jayega k Uski Sattar Hazaar lagaame hongi aur Har lagaam ke Saath Sattar Hazaar Farishte honge Jo use Kheench rahe honge _,"
* Muslim Sharif -2/ 381 , At Targeeb v Tarheeb - 4/ 249,*
❀__Allahu Akbar ! Is manzar ke tasavvur se hi Rongte khade ho Jate hai'n, Allah Ta'ala hum Sabko Apne Azaab aur Jahannam se poori tarah mehfooz rakhe , Aameen.
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Mushrikeen Apne Baatil Ma'aboodo Ke Saath Jahannam mai  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hisaab Kitaab vagera ki Kaarwa'i Mukammal ho Jane ke Baad har fard aur Jama'at ko uske Asal thikane Tak pahunchane Ka Amal Shuru hoga ,Sabse pehle Mushrikeen se kaha jayega k Wo Apne Apne Baatil Ma'aboodo Ke pichhe lag Le'n , aur fir unhe Unke Buto'n , Pattharo aur Salibo Samet Jahannam mai dhakel diya jayega, irshade Khudawandi hai :- *( Surah Al-Anbiya,Aayat 98-99 )*
*"__ إِنَّكُمْ وَمَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِ اللَّهِ حَصَبُ جَهَنَّمَ أَنتُمْ لَهَا وَارِدُونَ , لَوْ كَانَ هَٰؤُلَاءِ آلِهَةً مَّا وَرَدُوهَا وَكُلٌّ فِيهَا خَالِدُونَ _,*
*"__ Aur Tum aur Jo kuchh tum poojte ho Allah Ta'ala ke Sivaye, iydhan hai Dozakh Ka ,Tumko us per Pahunchana hai , Agar Hote ye But Ma'abood to na pahunchte is per , Aur Saare isme sada pade rahenge _,"*
❀__ Aur Ek Taveel Hadees mai waarid hai :- Munaadi Elaan Karega har Jama'at Apne Apne Ma'aboodo ke Pichhe lag le , Chunache saleeb ko poojne wale Apni Saleebo ke Saath aur Buto'n Ko Poojne wale Apne Apne Buto'n ke Saath aur Har Ma'abood ( Baatil ) ke pujari Apne Ma'aboodo ke Saath ho jayenge ,Ta k Sirf Wo log baqi bachenge Jo Allah Ta'ala ki ibaadat Ke mudda'i hai'n ,Khwah Nek ho'n ya Bad ho'n aur Kuchh Ahle Kitaab baqi reh jayenge _,"
* Bukhari Sharif- 2/117 ,*   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Yahood V Nasaara Ka Anjaam ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__  iske baad Yahood V Nasaara se bula Kar poochha jayega k Bataa'o Tumhara Ma'abood Kon hai ? Us Waqt Yahood Hazrat Uzair Alaihissalam aur Iysaa'i Hazrat Iysa Alaihissalam Ka naam lenge to Allah Ta'ala unki Takzeeb farmayega, ( Jhutlaya Jayega ) aur unhe bhi Jahannam Ki taraf rawana Kar diya jayega , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne iski Tafseel is tarah Bayan farmayi hai :-
"__ Fir Jahannam layi jayegi Jo door se Saraab ( Chamakti hui ret Jo door se Paani Maloom hoti Hai ) Mehsoos hogi , Fir Yahoodiyo'n se poochha jayega k Tum Kiski ibaadat karte they ? Wo kahenge k Hum Allah ke Bete Hazrat Uzair Alaihissalam ki ibaadat karte they , To kaha jayega k Tum Jhoote ho , Allah Ta'ala ki na koi Bivi hai na Aulaad ,Ab tum Kya chahte ho ?Wo kahenge - hum chahte hai'n k Aap Hume Paani pilaye , to Kaha jayega ( Saraab ki taraf ishara Kar ke ) k Jao pi lo , Pas Woh (Waha'n ja Kar) Jahannam mai gir jayenge, 
Iske Baad Nasaara se poochha jayega k Tum Kisko poojte they ? Wo kahenge k Allah ke Bete Hazrat Iysaa Maseeh  Alaihissalam ko , To jawab milega k Tum Jhoot bakte ho ,Allah Ta'ala ki na koi Bivi hai aur na koi Beta ,Ab bataao tumhari Kya Chaahat hai ? Wo kahenge k Hume Paani pilaye to unhe bhi ( Jahannam ki Saraab ki taraf ishara Kar ke ) kaha jayega k Jao pi lo , Chunache Wo bhi Waha'n ja Kar Sabke Sab Jahannam mai gir padenge _,"
* Bukhari Sharif - 2/ 117 , Muslim Sharif - 1/ 102 ,*
❀__Maloom hua k Tamaam Mushrikeen aur Shirk karne wale Tamaam Yahood V Nasaara Sabke Sab Jahannam Ka iydhan bana diye jayenge, Allah hifazat farmaye ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Ahle imaan Aur Munafiqeen Mai imtiyaz Aur Saaq Ki Tajalli ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Mushrikeen aur Ahle Kitaab Ke Jahannam Raseed ho Jane ke Baad Maidane Mehshar mai Sirf Sachche Momin aur Munafiq baqi reh jayenge , To unse poochha jayega k Sab log to ja chuke hai'n Tum log yaha'n Kyu ruke hue ho ?
Ye Hazraat jawab denge k Humne to Duniya mai bhi aur Logo'n Se alag Raah apnayi thi Jabki Hum ( kisi darje mai ) Unke Ta'wun ke mohtaaj bhi they ,Lihaza ab bhala hum Unke Saath kese ho Sakte Hai'n ,Humne to ye elaan Suna hai k Har Shakhs Apne Ma'abood ke pichhe rahe isliye hum Apne Parwardigaar Ka intezar Kar rahe hai'n,
Us Waqt Allah Ta'ala ki taraf se Do bijliyo'n Ka zahoor hoga ,Pehli Bijli ki Shaan Esi hogi Jo Momin ke zahan v Dimaag Mai Raasikh Allah Ta'ala ki Soorat se musabhat na rakhegi ,Aur us Tajalli Ka na pehchanna hi maqsoode Haq hoga ,Isliye Ahle imaan use pehchanne se inkaar Kar denge , Iske Baad" Tajalli Saaq " hogi uske zaahir Hote hi har Sachcha Momin be akhtyar Baargaahe Haq mai Sajda Rez ho jayega , Jabki Munafiqo ki kamar Takhta ho jayegi aur Wo Sajda karne ke bajaye guddi ke Bal gir padenge _,"
❀__ Muslim Sharif mai Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu ki Rivayat ke Alfaz ye Hai'n :-
"__ Yaha'n Tak k jab Sirf Nek v Bad Allah Ta'ala ki ibaadat karne Wale hi Maidane Mehshar mai baqi reh jayenge ( Jinme Munafiq bhi honge ) to Allah Rabbul Aalameen Unke saamne ek mamooli Tajalli ki Soorat mai tashreef farma hoga aur puchhega k tum log kiske Muntazir ho ? Har Qaum to Apne Ma'abood ke Saath ja chuki , To ye log arz karenge k Ey hamare rab ! Humne Duniya mai Logo'n Se Judaa'i akhtyar ki Jabki hum Aaj se zyada Unke mohtaaj they aur hum Unke Saath nahi rahe ( to ab hum Unke Saath kese ho Sakte Hai'n ?)
To Allah Ta'ala farmayega k Mai'n Tumhara Rab hu'n Momineen ( Jo Tajalli Saaq ke dhyan mai honge us Mamooli Tajalli ko hasbe taqdeer Khudawandi Haqeeqi na samajh rahe honge ) ye kahenge k Hum Allah se Panaah chahte hai'n , Hum qat'an Allah ke Saath kisi ko Shareek na karenge ( Yahi jumla do teen martaba dohrayenge ) Hattaki Unme se Baaz ( Munafiq) dhoke mai padne ke qareeb ho jayenge ,
__Fir Allah Ta'ala farmayega k Kya tumhare aur Tumhare Rab ke darmiyan koi nishani muqarrar hai Jisse Tum use Pehchaan loge ? To Momineen arz karenge k Ji nishani zaroor hai ,Uske baad Saaq ( Noore Azeem ) ki Tajalli hogi Jise dekhte hi Tamaam Makhlooq Sajda karne wale Allah ki ijazat se Sajda Rez ho jayenge .....Aur Jo log Mahaz dikhawe aur Mushkilaat se bachne ke liye Sajda karte they Allah Ta'ala Un sabki kamar ko ek Takhta bana dega , Jab bhi Unme se koi Sajda Ka iraada Karega to guddi ke Bal gir padega , fir Ahle imaan Sajde se Sar Uthayenge ,To Maloom hoga k Allah Ta'ala usi Tajalli mai Ronaq afroz hai Jo Tajalli Saaq se pehle thi , Ab Allah Ta'ala farmayega k Mai'n Tumhara Rab hu'n ,To wo Sab bol uthenge k Ji Haa'n ! Aap hamare Ran hai'n ( Yani Sab Ahle imaan Allah Ta'ala ko dekh Kar Pehchaan lenge ) _,"
* Muslim Sharif- 1/ 102 ,*
❀__Is Rivayat se maloom ho gaya k Tajalli Saaq ke Baad jab Momineen Sajde se Sar Uthayenge to us Waqt Unhe Allah Rabbul izzat Apni ru'ayat ( Deedaar ) Mubaraka se musharraf farmayega ,Aur har Shakhs Apni Apni jagah rehte hue Usi Tarah bager takleef ke Ru'ayat ki Sa'adat haasil Karega ,Jese log har jagah se barabar Suraj aur Chaand Ka mushahida karte hai'n aur Jo Munafiq Sajda se mehroom honge Wo Apne Kufr v Nifaaq ki Bina per Allah Ta'ala ki Ziyarat se bhi Mehroom honge , Qur'ane Kareem mai irshad hai -Koi nahi wo Apne rab se us Din rok diye jayenge - (Tatfeef -15 )_,"
* Fatahul Baari-16/550 _,*
*""_ Allah Ta'ala hum sabko Apni Ru'ayat Mubaraka se bahrawar farmaye ,Aameen .*
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Maidane Mehshar Ki Andheriyo'n mai Noor Ki Taqseem ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ahle imaan Aur Munafiqeen mai imtiyaz Aur Aakhri imtihaan ke Baad Poore Maidaan mai Sakht Andhera taari ho jayega ,Fir Ahle imaan ko Unke imaan Aur A'amaale Saleha ke aitbaar se Noor ataa Kiya jayega , Isi Noor aur Roshni ke zariye Woh Agle Aham Tareen Hila Yani " Pul Siraat " ko Tay karenge aur bil Aakhir Jannat mai pahunchenge , Munafiqeen ko ya to bilkul Noor se mehroom rakha jayega ya Mamooli Noor de Kar ayn zarurat ke Waqt unse Noor chheen liya jayega aur Woh Hasrat se Andhere mai Khade ke Khade Reh jayenge , Qur'ane Kareem mai irshade Rabbani Hai :-
"__ ( Tarjuma ) Jis Din Tu dekhe imaan wale Mardo'n ko aur imaan wali Aurto'n ko daudti Hui chalti hai Unki Roshni Unke aage aur Unke dahine ,Khush khabri hai tumko Aaj ke Din Baag hai niche behti hai'n Jinke nehre'n ,Sada raho Unme ,Ye Jo hai Yahi hai badi muraad mili _,
"__ Jis Din kahenge dagabaaz Mard aur Aurate'n imaan walo ko raah dekh Hamari hum bhi Roshni Le'n tumhare Noor se ,Koi kahega Lot Ja'o Pichhe , fir dhoond lo Roshni ,Fir khadi Kar di Jaye Unke beech mai ek Diwaar ,Jisme hoga darwaza ,Uske andar Rehmat hogi aur Bahar ki taraf Azaab , Ye unko pukarenge Kya hum na they Tumhare Saath ? Kahenge kyu nahi ! Lekin Tumne bacha diya Apne Aapko aur Raah dekhte rahe ,aur dhoke mai pade aur behak gaye Apne khayalo per yaha'n Tak k aa pahuncha hukm Allah ka aur Tumko behka diya Allah ke Naam se us dagabaaz ne ,So Aaj Tumse qubool na hoga fidya dena aur Munkiro se , Tum sabka Ghar Dozakh hai , Aur Wahi hai Rafeeq tumhari aur buri jagah ja pahunche ,
* Surah Al Hadeed- 12-15 ,*  
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Noor mai Zyadti Ke Asbaab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ahadeese Tayyaba mai un Mubarak A'amaal ki Targeeb di gayi hai Jo Maidane Mehshar mai Noor ki Zyaadti Ka Sabab banega Unme se Baaz A'amaal Ka Khulasa ye hai :-
(1) _ Andheri Raat mai Jama'at Ki Namaz padhne ke liye Masjid Jane walo ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Kaamil Noor ki Khushkhabri Sunayi hai , *( Abu Daowd v Tirmizi)*
(2)_ Mutlaqan Paanch Waqt ki Namazo ki Pabandi ko mojibe Noor qaraar diya gaya aur Namaz chhodne ko Noor se mehroomi Ka Sabab bataya gaya hai , *( Musnad Ahmad )*
(3) _ Surah Kahaf padhne wale ka itna Noor hoga Jo uski jagah se Makka Mukarrama Tak Muheet hoga _.Aur ek Rivayat mai Hai k Jo Shakhs Juma ke Roz Surah Kahaf padhne Ka mamool rakhega usko qadam se Asmaan tak Noore Azeem ata hoga _ ," *( Tabrani )*
(4) _ Darood Shreef padhne se Noor ata hoga ,
(5) Qur'ane Kareem padhna Qayamat mai Baa'ise Noor hoga _,"
*( Musnad Ahmad )*
❀__ (6 ) _Hajj v Umrah se faragat per Jo Baal Halaq karaye Jate hai'n Uske har Baal ke badle mai Noor ata hoga ,
*(_ Tabrani )*
(7) _ Mina mai Jamraat Ki Rami Karna Baa'ise Noor hoga ,
*_( Bizzar )*
(8) _ Jis Shakhs ke Baal haalate islam mai Safed ho Jaye'n ( Musalman Budha ho jaye ) To ye Safed Baal uske Liye Noor honge ,
*__( Tabrani )*
(9) _ Jihaad Fi Sabilillaah mai istemal kiya jane wala Teer Baa'ise Noor hoga ,
*_ ( Bizzar )*
(10) _ Bazaar mai Allah ko yaad rakhne wale ko bhi har Baal ke badle Noor ata kiya jayega ,
*_( Bayhiqi )*
(11) _ Jo Shakhs kisi Musalman ki takleef door kare to Allah Ta'ala uske liye Pul Siraat per Noor ke do azeem Sho'be miqarrar farmayega Jisse Ek Jaha'n Roshan ho jayega ,Jiski miqdaar Allah ke alawa kisi ko maloom nahi hai _,"
*__ ( Tabrani , Ma'aful Qu'ran -8/308)*   
❀__ Iske bar khilaf A'amaal jitne zyada honge Roshni usi aitbaar se kam hoti jayegi , Bil khusoos Allah ke Bando ki Haq talfiya,'n aur iza rasaniya'n qayamat mai sakht Andheriyo ka baa'is hogi , Isliye ese A'amaal bad se Apne ko bachana laazim hai aur A'amaale Saleha akhtyar kar ke Duniya hi mai Qayamat ke Noor ki zyadti ke asbaab faraham karna zaroori hai , Allah Ta'ala Poori Ummat ko Noore Taam ki Daulat se nawaze , Aameen .
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
               *❥ Pul Siraat ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Iske Baad Jahannam per Ek Pul qaa'im Kiya jayega Jiska Naam " Siraat " hoga ,
"__Ye Pul Baal se zyada Bareek aur Talwar ki dhaar se zyada tez hoga _," *( Muslim Sharif-1/103)*
"_ is pul per se guzar Kar Ahle imaan Jannat ki taraf jayenge ,Jo Jitna zyada pukhta imaan aur behatreen Amaale Saleha Wala hoga Wo utni hi tezi aur Aafiyat se Pul Siraat se guzar jayega ,Aur Jo log Kam Anal honge Wo Apne A'amaal ke aitbaar se der mai guzar sakenge aur Jo Bad Amal Honge unko pul Siraat ke kinaare lagi Hui Sandasiya'n pakad Kar Saza dene ke liye Jahannam mai daal dengi ,Allah Ta'ala hifazat Kare ,
❀__ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Fir Jahannam per pul banaya jayega aur Sifarish ki ijazat ho jayegi aur Logo'n ki zubaano per Jumla hoga ,Ey Allah mehfooz rakh ! Ey Allah mehfooz rakh ! Arz Kiya gaya k Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ye pul Kya hai ? To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Wo Sakht fisalne ki jagah hai Jisme Aankde aur Sandasiya'n aur "Najad ke ilaaqe mai paye Jane wale " Sa'adaan Naami kaante ki tarah Kaante hai'n ,
Fir Momin Pul Siraat per se Palak jhapakne aur Bijli kondne aur Hawa chalne aur Parinde udne aur Umda qism ke ghodo aur Sawariyo'n ki raftaar se guzrenge ,Fir koi Sahi saLim Nijaat pa jayega aur Koi Sandasiyo'n se chhil chhil Kar chhoot jayega aur Koi atak Kar Jahannam mai girne Wala hoga _,"
* Muslim Sharif - 1/ 102 ,*
❀__Pul Siraat se koi Kaafir ya Munafiq nahi guzrega ,Sirf Ahle imaan hi guzrenge Jinme se Saza ke mustahiq bad Amal Jahannam mai girenge aur ek Muddat ke Baad Unki ma'afi ho jayegi ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
   *❥ Shafa'at Ka Doosra Marhala ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__  Pul Siraat per se guzarne se pehle Jo Hazraat Shafa'at aur Sifarish ke ahal honge Unko Sifarish ki ijazat di jayegi Jesa k Hadeese Baala Ke jumle ( Hadees Pichhle Part mai guzar chuki hai ) Se  Maloom hota hai Ye Sifarish Ka Doosra Marhala hai ,Jisme Kuchh Makhsoos qism ke Hazraat ko bator Aizaaz v ikraam ye Haq diya jayega k Wo Apne Mutalliqeen ke Haq mai Sifarish Kare'n Jo Momin to hai'n Lekin A'amaal mai Kotaahi ki vajah se Mustahiqe Jahannam ho chuke hai'n , Un Ba izzat Sifarish karne walo mai Hazraate Ambiya Kiraam Alaihissalam aur darje zail log Shamil honge :-
(1) _Ba Amal Hafize Qur'an ko Apne Ahle Khandaan ke das Afraad ko Azaab se bachane ki Sifarish karne ki ijazat milegi , Chunache Unke haq mai iski Sifarish qubool ki jayegi , *( Mishkaat- 1/ 187)*
(2)__Duniya mai agar Bad Amal Shakhs ne kisi Nek Amal Wale Shakhs per koi Ahsaas kiya hoga to Wo Bad Amal,Nek Amal Wale Shakhs ko dekh Kar usko Ahsaan Yaad dilayega aur Sifarish ka mutmani hoga , Chunache uski Sifarish se bad Amal Shakhs Azaab se Bach jayega _," *( Tazkirah )*
(3)__ Baaz rivayato se Maloom hota hai k Ulma aur Shohda ko bhi is Marhale per Sifarish ki ijazat di jayegi _," *( Mishkaat Sharif -2/ 495)*   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Pul Siraat Per "Amaanat" aur " Reham " Ki Jaanch ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Pul Siraat ke Daaye Baaye" Amanatdaari " aur " Rishtedari " Mujassam Shakl mai Mojood honge , Aur Pul Siraat se guzarne walo Ka jaayza le rahe honge aur ye Dono Sifaate Aaliya Apni Ri'ayat rakhne walo ke Haq mai gawahi denge aur Kotaahi karne walo ke khilaf Hujjat qaa'im karenge ,Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Aur Amaanat aur Rishta Qarabat ko Chhod diya jayega Chunache Wo Pul Siraat ke Daaye Baaye kinaare per Khade ho jayenge _,"
* Bukhari Sharif, Muslim Sharif-1/ 102,*
❀__ Iski Sharah farmate hue Hazrat Hafiz ibne Hajar Reh.farmate hai'n :-
"__ Aur Matlab ye hai k Amaanat Daari aur Rishtedaari ki Azmat Shaan aur Bando'n per Laazim Unke Huqooq ki ri'ayat ki Azeem Ahmiyat ki Bina per in dono ko pul Siraat per Ameen aur kha'in aur Rishtedaari Ka Khayal rakhne wale ,Qata karne wale ke liye khada kiya jayega,Pas ye Dono Haq Ada karne wale ki taraf se difa karenge aur Baatil Shakhs ke khilaf gawahi denge _,"
* Fatahul Baari- 14/ 553,*
❀__ Isliye agar Hume Apni izzat Ka Khayal hai aur Pul Siraat per ba Aafiyat guzarne ki fikr hai to Hume Amaanat v Dayanat aur Rishtedaari Ka lihaaz rakhna Laazim hai ,Agar esa na Kiya gaya to fir Sakht Ruswaa'iyo Ka Saamna karna padega , Allah Ta'ala hifazat Kare ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Pul Siraat Se Guzarte Hue Ahle imaan ki Shaan ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Pul Siraat per guzarte Waqt Saleh Momin Ki Shaan Ajeeb aur qabile Rashk hogi , Sabse pehle Jo Jama'at guzregi Usme Sattar Hazaar Afraad Shamil honge Jinke Chehre Chohdhvi Chaand Ki Tarah chamak damak rahe honge , Unke baad tez Roshni wale Sitaaro ke maanind chamakdaar Chehre wale Hazraat guzrenge, Fir isi tarteeb se darja ba darja Ahle imaan guzarte rahenge ,
❀__Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :-
"__ Fir Ahle imaan Nijaat payenge, Pas Unme se Pehli khep ( Jama'at )  is Shaan se guzregi k Unke Chehre Chohdhvi Raat ke Chaand ke maanind chamakdaar honge ,Ye Sattar Hazaar ki tadaad mai honge Jinka hisaab Kitaab Kuchh na hoga ,Fir Unke baad is tarah chamakdaar Chehre wale honge Jese Asmaan mai chamakne Wala Sabse Roshan Sitaara hota Hai, Fir isi tarah darja ba darja _,"
* Muslim Sharif - 1/ 107,*
❀__ Hamari khwahish honi chahiye k hum ese A'amaal le Kar Duniya se jaye k Pul Siraat se guzarte Waqt hum saraapa Roshni mai ho'n aur hamare Badan ke har har Juz se Noor Afshaani ho rahi ho , Allah hum Sabko A'amaale Saleha ki tofeeq de , Aameen    
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Jannat Ki Taraf Rawangi aur Mamlaat ki Safaa'i ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Pul Siraat se ba hifazat paar hone ke baad Jannatiyo'n ke Jatthe Jannat ki taraf chalenge,To Jannat ke darwaze Tak pahunchane se pehle un Sabko ek Khaas Nehar ke pul per rok liya jayega aur Unke darmiyan Agar Haq Talfi vagera ya Keena kapat ki koi baat hogi to Jannat mai dakhile se pehle ma'afi talafi kar ke unhe Paak Saaf Kar diya jayega,
❀__Qu'rane Paak mai Surah A'araaf mai irshad farmaya hai ,_ "__ Aur kuchh Unke Dilo'n mai gubaar tha Hum usko door Kar denge , Unke niche nehre'n Jaari hongi _,"
❀__ Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne iski mazeed Tafseel is tarah irshad farmayi :-
"_ Ahle imaan Jahannam se Nijaat pa Jane ke Baad Jannat aur Jahannam Ke darmiyan ek pul per rok liye jayenge ,Fir unse Aapas mai Duniya mai Jo Haq talfiya'n Hui hongi Unki ma'afi talafi ki jayegi Taki jab unhe Paak Saaf Kar diya jayega to unhe Jannat mai dakhila ki ijazat milegi aur qasam hai us zaat ki Jiske qabze mai Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Jaan hai Jannatiyo'n mai se har Shakhs Apne Jannat ke Ghar ke bare mai Duniya ke Ghar se zyada Pehchaan aur ma'arfat rakhta hai _,"
* Bukhari Sharif-2/967,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Jannat Ka Darwaza Khulwane Ke Liye Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Sifarish ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Jab Ahle Jannat,Jannat Ke qareeb pahunchenge to Jannat Ka Darwaza band payenge , Jannat mai Jane Ka ishtiyaq bahut zyada hoga ,Isliye jald az Jald Jannat mai dakhile ke liye Hazraate Ambiya Alaihissalam se Sifarish ki Darkhwast karenge, Bil Akhir Sayyadul Awwaleen Wal Akhireen Sayyadna wa Maulana Muhammad Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Baargaahe Rabbul Aalameen mai Sajda Rez ho jayenge aur Apni Ummat ke Jannat mai dakhile ki Sifarish pesh farmayega, Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai :-
"__ Pas Mai'n Arsh ke niche aa kar Parwardigaar ke saamne Sajde mai gir jaunga ,Fir Allah Ta'ala mera Seena khol dega aur mere Dil mai Apni Hamdo Sana aur behatreen tareef ke wo Kalmaat Alqa farmayega ( Gaib se Dil mai daalenge ) Jo mujhse pehle kisi ke liye Alqa na kiye honge , Fir Allah Ta'ala farmayega , Ey Muhammad ! Aap Apni Ummat mai se Un logo per Jin per hisaab Kitaab nahi ,Unhe Jannat ke Dahine Darwaze mai se dakhil farma dijiye aur ye log Digar darwazo mai doosre Logo'n Ke Saath shirkat Ka haq bhi rakhte hai'n , ( Yani unhe ye Aizaaz haasil hoga k Jis darwaze se Chahe dakhil ho Jaye ) _,"
* Muslim Sharif - 1/ 111,*
❀__ Aur Ek Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Mai'n Qayamat mai jannat ke darwaze per ja Kar use Khulwane ki koshish karwaunga to Jannat Ka khaazin puchhega k Aap Kon hai'n ? Mai'n Kahunga k Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) ! To Wo jawab dega k Aap hi ke mutalliq Mujhe hukm hua hai , Aap se pehle Mai'n kisi ke liye darwaza nahi kholunga _,"
* Muslim Sharif - 1/ 112,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Jannat mai Sabse Pehle Dakhil Hone wale Khush Naseebo Ka Haal ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Sahih Ahadees se ye Baat Saabit hai k Ummat Muhammadiya Sallallahu Alaihivasallam Ke Sattar Hazaar ya Saat Laakh Khush Naseeb Afraad ek Waqt pehle marhale mai Jannat mai dalkhile se musharraf honge , *( Muslim Sharif-1/116)*
Aur Tirmizi ki ek Rivayat mai Maloom hota hai k in Sattar Hazaar mai Har Hazaar ke Saath Sattar Hazaar aur honge, aur Saath mai Allah Ta'ala ki taraf se uski Shaan ke mutabiq mutthi bhar Afraad bhi bila hisaab Kitaab dakhil hone wale honge _," *( Tazkirah -433 , Fatahul Baari-14/501)*
*Note - Jannat Ke Ahwaal ,Jannat Ke Haseen Manazir aur Jannat Ki Raahe'n Hum Pehle hi Post Kar chuke hai'n Alhamdulillah ,Aur Jahannam Ke Ahwaal bhi Post Kar Chuke hai'n , isliye " Qayamat " Ke mutabiq Silsile ko hum Yaha'n Per Mukammal Karte hue Link de rahe hai'n Taki Aap is Unwaan Se mutalliq Sabhi Qeemti Msgs ko Padh sake aur Share Kar Sake , Dua Ke Taalib , Team Haq Ka Daayi _,*
*鹿 Jannat Ke Haseen Manazir 鹿*
⊗ http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Jannat%20Ki%20Raahai%27n?m=0
*鹿 Jannat Ki Raahai'n 鹿*
http://www.haqqkadaayi.com/2016/11/jannat-ki-raahai-101-se-mukamnal_26.html?m=0
*鹿 Jahannam Ke Ahwaal 鹿*
http://www.haqqkadaayi.com/2018/04/jahannam-ke-ahwaal.html?m=0
*Sabhi Unwaan Msgs Ki Shakl mai Yaha'n se Le Sakte Hai'n *
https://haqqkadaayi.wordpress.com/
*Next Topic-- Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai _,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯

*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/
*Visit for All updates,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments