Muhabbate Rasool S.A.


★          ╓━════◐◐◑════━╖
                     بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜
 MUHABBAT- E -RASOOL 
❉ Sallallahu Alaihivasallam ❉
֏☞ Mehboob E Rab Zuljalaal,


▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat karne ki Pehli aur Sabse badi Vajah ye he k Aap Saallallahu Alaihivasallam Allah Rabbul izzat ke bhi Mehboob he’n, Qurane kareem Aap Sallallahu Alaihivasallam ke kamaal v Jamaal per sabse Bada gawaah he,
✪ Qurane Majeed me Ambiya kiraam se Ahad lene ka tzkira kiya gaya to Allah ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka Tazkira pehle farmaya,
⇨Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya, “Ey Allah ke Mehboob! Aapki Shaan kitni buland he k Allah Ta’ala ne jab Ambiya kiraam ka Tazkira kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Tazkira pehle kiya, ”
✪ Irshade Baari ta’ala he,
وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ
✪ Pas Rabbe Kaaynat ne Aapka Zikr itna buland kiya Kalme me Aapka Tazkira kiya, k لا اله الا الله محمد رسول الله me lafze Allah aur Muhammad ke darmiyan koi harf ya Lafz nahi he,
لا اله الا الله ke 12 haroof he’n
محمد رسول الله
Ke bhi 12 hi haroof he’n,
✪ isi tarah Namaz Azaan me bhi Aapka Tazkira he, Aaj magrib, mashrik, Shumaal, Junoob me koi mulk esa nahi jaha Azaan Aqamat ke zariye Aapka Zikr Mubarak na hota ho,
_ﷺ_
صلى الله على محمدﷺ
صلى الله على محمدﷺ
ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ
⇨ Balagal Ula bi Kamalihi,
Kashful duji bijamalihi,
Hasanat Jami Khasalihi,
Sallu alaihi va Aalihi,
֏ ☞ Husn V Jamaal,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Husn v Jamaal alfaz me bayan karna mushkil he,
⇰ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Allah Ta’ala ne kisi Nabi ko mabous nahi farmaya Jo khush Awaaz aur khush Runa ho, Hamare Nabi sab Ambiya Alaihissalam me Soorat me sabse Zyada Haseen aur Awaaz me Sabse Ahsan the, ( Shamail Tirmizi )
✪ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke mutalliq yu kaha,
” Jo koi yakayak Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ke saamne aa jata woh Dahal jata, Jo pehchan kar Aa Beth ta wo wo Shayda ho jata, Dekhne wala unki tareef me kaha karta k mene in jesa na pehle dekha na pichhe dekha,
✪ Amire Shariyat Hazrat Ataullah Shah Bukhari Reh . Apne makhsoos andaz me Gaare Sor aur Safare Hijrat ka Tazkira karte hue farmaya karte the k,
Ey Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ! Mujhe teri god ek khuli rahal ki manind nazar aati he aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka Chehra us rahal me rakhe hue Quran ki manind nazar aata he aur Ey Abu Bakar Raz. Tu mujhe ek qari ki manind nazar aata he Jo betha huva Quran ko padh raha he,
_ﷺ_
صلى الله على محمدﷺ
صلى الله على محمدﷺ
ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ
⇨Nigahe ishq v Masti me,
Wahi Avval wahi Aakhir,
Wahi Quran wahi Furqaan
Wahi Yaseen wahi Taahir,
֏☞ , Fazal V Kamaal
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Allah Ta’ala Qurane Paak me Aapke mutalliq farmata he ,
,” Aap per Allah ka bada Fazal he ,”
✪ Ek Hadees me he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, “_Me Khatimun Nabiyyeen hu’n ,Mere baad koi Nabi nahi ,” Yani tamaam kamalaate Nabuwat Aap per Khatm he’n ,
✪ To jab nabuwat ke saare kamalaat Aap per khatm ‘he’n to Aap khatimul kamalaat he, to Fatehul kamalaat bhi aap hi hue,
✪ Waha se kamalaat na chalte to ( Baqi ) Ambiya Alaihissalam ko kese milte ,,Avliya ko kese milte ,isliye Aap Sallallahu Alaihivasallam Khatim bhi he’n aur Fateh bhi he’n ,isliye Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saare kamalaat ki jad ek hi lafz he aur Wo he Khatme Nabuwat ,Agar koi Khatme Nabuwat ka munkir he to iska matlab ye he k Wo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki saari khususiyat ka munkir he ,Usne Deen ki buniyad dhaha di to saari nabuwato ke kamalaat ilmi ,amli ,akhlaqi sab Aap per aakar khatm ho gaye he’n ,
_ﷺ_
֏☞ ,Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Rahmat hi Rahmat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam Makhluqaate Aalam ke liye majmua e Rehmat hi Rehmat he’n ,Allah Ta’ala ka irshad he k ,
“Ey Pyare ! Humne Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Rehmat bana kar bheja he ,”
⇰Aap Sallallahu Alaihivasallam Duniya ki har makhlooq ke liye Rehmat saabit hue ,Jiska mukhtsar tazkira kiya ja raha he :-
✪ 1- insaano ke liye Rehmat ,’-
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Rehmat se insaano ne bhar poor faayda uthaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Dua farmayi ,
” Ey Allah. ! Mere baad meri Ummat per koi esa azaab na aaye k inki shakle tabdeel kar diya jaye ,”
⇨ Allah Ta’ala ne Dua qubool farmayi ,Aaj Jo hum apni Shaklo ke saath zinda he’n ye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Duao’n ka sadqa he ,agar pehli Ummato ki tarah pakad hoti to Sekdo me koi ek hota Jo Apni Asli Shakl per baqi rehta,
_ﷺ_
֏☞ , 2- Jaanwaro Ke liye Rehmat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Rehmat se Jaanwaro ne bhi Rehmat payi ,
⇰Ek martaba ek baag me tashreef le gaye to ek Ount ( camel ) bilbilata huva Aap Sallallahu Alaihivasallam ke qadmo me aaya ,
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne uske Maalik ko bulakar farmaya k ye be-zabaan Jaanwar he ,Tumhe chahiye k iske saath narmi barto ,
⇨ Ye Shikwa kar raha he k tum isse kaam Zyada lete ho aur ise Chara thoda dete ho ,
✪ Subhanallah ,,Jaanwar bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me aakar apni takleef bayan karte the ,
_ﷺ_
֏☞ , 3- Aurto’n ke liye Rehmat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Rehmat se Aurto’n ne bhi faayda uthaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Tashreef lane se pehle is maashre me Aurat ki kya waq’at thi ?
⇰Log apne gharo me Beti ki pedaish ko bura samajhte the aur Unhe Zinda dargor ( Zameen me Dafan ) kar dete the ,Baap Beti ko Muhabbat aur Pyar ki nazar se nahi dekha karta tha ,
✪ Magar Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye to farmaya ,,
” Jis shakhs ke yaha do Betiya’n ho aur wo unki parvarish kare hattaki unka Nikaah kar de to Wo Shakhs Jannat me mere saath ese hoga jese ye Do ungliya’n ek doosre ke saath he ,
⇨ Sayyadna Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke aane se pehle Biviyo’n ke saath nihayat Zulm ka bartaav kiya jata tha ,Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye to Aayat utar aayi ,
” Aur Tum unse maroof tareeqe se Zindgi guzaro ,”
” Woh tumhara libaas he aur Tum unka libaas ho ,”
⇨ Ek Aadmi libaas ke bager nanga hota he ,isi tarah agar tum izdwaji Zindgi nahi guzaroge to tumhari Zindgi bhi har waqt Khatre me hogi ,
_ﷺ_
֏☞ , 4 – Budho ( old ) aur Bachcho ke liye Rehmat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Aamad se Budho ko bhi izzat mili ,Us waqt Budho ki koi bhi izzat nahi karta tha ,
⇰Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Farmaya ,
” Jisne kisi ese Shakhs ki izzat ki jiske Baal Islam me safed ho gaye ho to ye ese hi he jese usne apne Allah Ta’ala ki izzat ki ,
✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Sadqe Chhote Bachcho ko izzat mili ,farmaya ,
” Jo hamare Chhote Bachcho per Raham nahi karta Wo humme se nahi he ,”
⇨ Goya k Chhote Bachcho ne bhi Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Rehmat se hissa mila ,
_ﷺ_
صلى الله على محمدﷺ
֏☞ ,5- Mazdooro Ke liye Rehmat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ek Sahabi Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se musafa karte he’n ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne dekha k haat bahut sakht he ,
✪ Vajah puchhi to arz kiya gaya ,
” Ey Allah ke Nabi Sallallahu Alaihivasallam ! Me pahaad per rehta hu ,Waha per Patthar tod kar apni Zindgi guzaarta hu’n ,
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne uski taraf dekha aur farmaya,
” Haath se kamane wala Allah ka Dost he ,” 
⇨ is tarah Mazdooro ko bhi mil gayi ,
_ﷺ_
֏☞ , 6- Farishto ke liye Rehmat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ek Martaba Hazrat Jibraiyl Alahissalam se puchha ,
” Jibraiyl ! Kya Aapko bhi meri Rehmat se hissa mila ?
⇰Arz kiya ,
,” Ji haa’n , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke tashreef lane se pehle mujhe Apne anjaam ke bare me Dar laga rehta tha ,Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye to ye Aayat utri , (Surah At-Takwir, 19:20:21)
إِنَّهُ لَقَوْلُ رَسُولٍ كَرِيمٍ
ذِي قُوَّةٍ عِندَ ذِي الْعَرْشِ مَكِينٍ
مُّطَاعٍ ثَمَّ أَمِينٍ
Pas mujhe apne anjaam ke bare me tasalli naseeb ho
Gayi ,
_ﷺ_
֏☞ , 7- Dushmano ke liye Rehmat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne jab Makka Fateh kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam Qureshe Makka se unki iza rasaaiyo ka badla chuka sakte the,
⇰Magar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” me wahi karunga Jo mere Bhai Yusuf Alaihissalam ne Bhaiyo’n se kaha tha ,
َ لَا تَثْرِيبَ عَلَيْكُمُ الْيَوْمَ
⇨ is tarah Aap Sallallahu Alaihivasallam apne dushmano ke liye bhi Rehmat saabit hue ,
✪ Jo Aasi ko Kamli me apni Chhupa le ,
Jo Dushman ko bhi Zakhm kha kar Dua de ,
Use aur kya naam dega Zamana ,
Wo Rehmat nahi he to Fir aur Kya he ,
✪ Pas Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Rehmatul Aalameen zaat se Muhabbat karna imaan he aur Aapke Ahkaamaat ki ta’ameel karna hamari pehchan ho jaye ,aur itteba e Sunnat ke muqable me Duniya ki har cheez hakeer ho jaye ,
_ﷺ_
֏☞ , Pattharo Ka Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Nabuwat ki Gawahi Dena aur Aapko Salaam karna ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ek dafa Aap Sallallahu Alaihivasallam ke paas Abu Jahal aaya ,Uski mutthi me Kankriya thi ,
⇰ Kehne laga Agar Aap Sallallahu Alaihivasallam ye bata de k mere haath me kya he to me musalman ho Jaunga ,
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne uske haath ki taraf ishara farmaya to Kankriyo’n ne Kalma padhna shuru kar diya ,
⇨ Magar Afsos k Uska ( Abu Jahal ka ) Dil patthar se bhi Zyada sakht tha isiliye Vaade se mukar gaya ,
✪ Ek patthar esa tha k jab Aap Sallallahu Alaihivasallam uske qareeb se guzarte to wo Aap Sallallahu Alaihivasallam ko dekh kar Salaam kiya karta tha ,
⇨ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,k me is patthar ko jaanta hu Jo mujhe nabuwat se pehle bhi salaam karta tha aur Aaj bhi mujhe Salaam karta he ,
_ﷺ_
֏☞ , Allah Ta’ala aur Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat Ki Zarurat V Ahmiyat –,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki muhabbat imaan ka Juzv Laazim he, Quran v Sunnat ki ru se zaruri he k har Musalman ke Dil me Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki muhabbat Apni Jaan, Walden, Ahlo ayaal, Maal v Daulat aur Duniya sab cheezo se zyada Mehboob ho, Kyuki Aap Sallallahu ki muhabbat takmile imaan ke liye shart he,
✪ Jab insaan ke Dil me kisi ki muhabbat bas jati he to uske liye uski ita’at v farmabardari karna asaan ho jata he, isi fitrate insaani ko peshe nazar rakhte hue Allah Ta’ala ne Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki sakhshiyat ka tarruf Aapki Azmat, Shaane Bulandi darjaat air osaafe hamida ka Tazkira farmaya, is maqaam per pahunch kar ek musalman ke liye Aapki itteba nihayat sahal ho jati he,
✪ isliye khud Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne apne Mubarak irshadaat me Allah Ta’ala aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat paida karne ke tarq bade ahsan andaz me farmaye he’n,
_ﷺ_
֏ ☞ , Halawat e imaan,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Teen cheeze esi he’n k woh jis Shakhs me hogi unko inki vajah se imaan ki halawat naseeb hogi,
⇰ 1- Wo Shakhs Jiske nazdeek Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam sabse Zyada Mehboob ho yani Jitni muhabbat usko Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam se ho utni kisi se na ho,
⇨2- Wo Shakhs jisko kisi bande se muhabbat ho aur Mahaz Allah hi ke liye muhabbat ho yani kisi Duniyavi garz se na ho, mahaz is vajah se muhabbat ho k woh Allah wala he,
⇨ 3- Wo Shakhs jisko Allah Ta’ala ne Kufr se bacha liya ho khwah pehle hi bacha rakha ho khwah Kufr se tauba kar li aur bach gaya aur is bacha lene ke baad wo Kufr ki taraf aane ko is qadar na-pasand karta he jese Aag me daale Jane ko na-pasand karta he,
 Mishkaat ba hawala Bukhari v Muslim,
✪ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k irshad farmaya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne k Tumme koi Shakhs poora imaandar nahi ho sakta jab tak k mere saath itni Muhabbat na rakhe k Apne Walden se bhi Zyada aur Apni Aulaad se bhi Zyada aur Sab Aadmiyo’n se bhi Zyada ,
✪ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta’ala se Muhabbat rakho is vajah se k wo tumko Giza me apni niyamate deta he ,
Aur Mujhse ( yani Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se ) Muhabbat rakho is vajah se k Allah Ta’ala ko mujhse Muhabbat he ,
 Tirmizi ,
⇨ Faayda :—
✪ iska matlab ye nahi k Sirf Giza dene ki vajah se Allah Ta’ala ke saath Muhabbat rakho balki matlab ye he k Allah Ta’ala ke kamalaat v ahsanaat Jo be Shumaar he’n agar kisi ki samajh me na aaye to ye ahsaan to bahut Zahir he Jisse kisi ko inkaar nahi ho sakta,
✪ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
” meri aur Tumhari haalat us Shakhs ki si he Jese kisi ne Aag Roshan ki aur us per parvane aakar girne lage Wo unko batata he magar Wo ( parvane ) uski nahi maante aur Aag me jhulste he’n
Isi tarah me Tumhari kamar pakad pakad kar Aag se hatata hu’n aur Dozakh me le Jane wali cheezo se rokta hu”n aur tum USI me ghuse jate ho ,”
 Mishkaat bahawala Bukhari Sharif,
⇨ Faayda —-
Dekhiye Is Hadees se Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko apni Ummat ko Dozakh se bachane ka kitna ahatmam maloom hota he ,Ye Muhabbat nahi to aur kya he ,Agar humko esi Muhabbat karne wale se Muhabbat na ho to afsos he ,
✪ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he k ek Shakhs jiska naam Abdullah aur laqab Hammad tha Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne usko Sharaab noshi me saza di thi ,ek dafa fir laya gaya aur saza ka hukm hokar saza di gayi ,
Ek Shakhs ne kaha Ey Allah ! Is per laanat kar ,kis kasrat se ye sharaab pita he ,
Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, is per laanat na karo wallah mera  ye ilm he k Khuda aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat rakhta he ,
 Mishkaat bahawala Bukhari Sharif,
⇰ Faayda ::—
✪ Yani Khuda aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat Rakhne ki kitni qadar farmayi gayi k itna bada Gunaah karne per bhi us per laanat ki ijazat nahi di gayi, ye he Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafqat ,
_ﷺ_
֏☞ , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat karne Ki Ahmiyat ,- ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat imaan ka Juz v laazim he ,Quran v Sunnat ki ru se Zaroori he k har Shakhs ke Dil me Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat apni Jaan ,Walid ,Ahlo ayaal ,maal daulat aur Duniya ki sab Cheezo se zyada ho ,
⇰Jiska Dil Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saath is qism ki Muhabbat se mehroom he ,Wo Azabe ilahi ko Dawat deta he ,Us per Duniya me ya Akhirat me ,Ya dono hi Azaab nazil hone ki Va’ied he ,Quran v Sunnat me is bare me Jo kuchh irshad farmaya gaya he uska mukhtsar Zikr kiya jata he ,:—-
✪ Hazrat Abdullah bin Hisham Raziyallahu Anhu Rivayat karte he’n k unhone kaha ,
” Hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke saath the ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Umar bin Khattan Raziyallahu Anhu ka haath thaam rakha tha ,
Umar Raziyallahu Anhu ne Aapse Arz kiya ,
” Ey Allah ke Rasool ! Yaqeenan Aap mujhe meri Jaan ke Siva har cheez se zyada pyare he’n ,”
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Nahi Qasam he us zaat ki Jiske haath me meri jaan he Us waqt tak k me tujhe Teri jaan se bhi Zyada pyara na ho jau’n ,”
Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya ,
” Allah Ta’ala ki Qasam yaqeenan ab Aap mujhe meri jaan se bhi Zyada pyare he’n ,”
Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Ey Umar Ab baat bani he,”
 Sahih Bukhari ,
✪ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Us zaat ki Qasam Jiske haath me meri Jaan he ,Tumme se koi Shakhs us waqt tak Momin nahi ban sakta Jab tak k me’n uske Nazdeek uske Walid aur Bete se Zyada pyara na ho jau’n “”,
 Sahih Bukhari,
✪ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Rivayat karte he’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k,
” Koi Banda Us waqt tak Momin nahi ho sakta jab tak me’n uske nazdeek uske Ahal ,Maal aur sab logo se Zyada pyara na ho jau’n ,”
 Sahih Muslim,
⇨• Muhabbat ki 2 Qisme he’n ,ek Muhabbat Tabai aur Doosri Muhabbat Aqli ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke saath Jis Muhabbat ko imaan ki Shart bataya gaya he Wo Muhabbat Aqli he ,
⇨• Hasil ye he k Beshak ek Aadmi Apne Ahal Aqarib se Muhabbat rakhta he ,Unke huqooq poore karta he ,Unki hamdardi Khair Khwahi karta he ,
⇨• ,Lekin ye Sab kuchh Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki talimaat ke mutabiq aur tabai hokar aur kahi bhi esa na ho k Aulaad ya Walden Vagera kisi ki Razamandi ke liye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki nafarmani kare ya Aapke Hukm ki parvaah na kare agar khuda na khasta Kisi musalman ne esa kiya to fir uska imaan Kaamil nahi he aur Wo iski fikr kare ,
_ﷺ_
֏☞ , Allah Ki taraf se Vai’ed,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Allah Ta’ala ki taraf se un logo ke liye Vai’ed he Jo Allah Ta’ala, Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam, Jihaad se Zyada Muhabbat Apne Baap,Beto ,Bhaiyo’n, Biviyo’n ,Biradriyo’n ,Maalo ,Tijarat ya Gharo ke saath Rakhte he’n ,Qurane Kareem me Allah Ta’ala ka irshad he ,:-
قُلْ إِن كَانَ آبَاؤُكُمْ وَأَبْنَاؤُكُمْ وَإِخْوَانُكُمْ وَأَزْوَاجُكُمْ وَعَشِيرَتُكُمْ وَأَمْوَالٌ اقْتَرَفْتُمُوهَا وَتِجَارَةٌ تَخْشَوْنَ كَسَادَهَا وَمَسَاكِنُ تَرْضَوْنَهَا أَحَبَّ إِلَيْكُم مِّنَ اللَّهِ وَرَسُولِهِ وَجِهَادٍ فِي سَبِيلِهِ فَتَرَبَّصُوا حَتَّىٰ يَأْتِيَ اللَّهُ بِأَمْرِهِ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْفَاسِقِينَ
 Surah At- Tauba ,24
✪ Tarjuma —
Keh dijiye agar Tumhare Baap ,Tumhare Bete ,Tumhare Bhai ,Tumhari Biviya’n ,Tumhari Biradri ,Tumhara Maal Jo tumne Kamaya ,Tumhari Tijarat Jiske manda pad Jane se darte ho ,Tumhare rehne ke makanaat Jo tumhe Pasand he’n ,Allah Ta’ala , Uske Rasool aur Allah Ta’ala ki Raah me Jihaad karne se Zyada Azeez he’n , To intezar karo Yaha tak k Allah Ta’ala apna hukm le aaye aur Allah Ta’ala Faasiqo ko Hidayat nahi deta ,”
⇨ Hafiz ibne Kaseer is Aayat e Kareema ki Tafseer me farmate he’n k ,
” Agar ye Cheeze Tumhe Allah Ta’ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur Unki Raah me Jihaad se Zyada Azeez he to fir tum is baat ka intezar karo k uske Azaabo me se tum per kis qism ka azaab naazil hota he ,”
 Tafseer ibne Kaseer ,
✪ imaam Qutubi Reh .ka Farman he ,
” Ye Aayat e Kareema Allah Ta’ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat ki Farziyat per dalalat karti he,aur ye Muhabbat har Azeez aur Pyari Cheez ki Muhabbat per muqaddam he ,”
_ﷺ_
֏☞ , Khulfa e Rashedeen Raziyallahu Anhum aur Muhabbate Rasool Sallallahu Alaihivasallam,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum is Ummat ke Wo Khush Naseeb Hazraat he’n Jinhone Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Didaar kiya aur imaan ki haalat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sohbat payi ,Dar Haqeeqat ye Ashiqo ki ek Jama’at thi Jinhe Allah Ta’ala ne isliye Chuna k Wo Mehboob ki Adaao’n ko apnaye aur Apne Dilo Dimaag me mehfooz karke baad walo tak Pahunchaye ,
✪ Allah Ta’ala ne Jo Akhri Shariyat apne Mehboob Sallallahu Alaihivasallam per Naazil farmayi baad me aane wale halaat kisi ko ye kehne ka moqa de sakte the k ye Shariyat sirf isi khairul Quroon ke liye makhsoos thi ab Modern Zamana he ,To Allah Paak ne Hazraat e Sahaba Kiraam ki ye jama’at tashkeel farma kar Qayamat tak ke liye iska jawab muhayya farma diya k Zamana kesa bhi ho ,Halaat v Waaqyaat kese hi dil kharash kyu na ho ,Shariyate Muhammadi Qayamat tak ke liye Raaijul Amal he ,
✪ Hazraat e Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke waaqyaat Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke liye akseer ka darja rakhte he’n , Shamma e Risalat ke in Paravano me se sabse Pehle Hazraate Khulfa e Rashedeen ki Mubarak Zindgi me se chand Waqyaat darj kiye jate he’n ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,-
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Sayyadna Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu is Ummat ke Sarkheel aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam me sabse aage badne wale he’n ,Aapka naam Abdullah aur Kunniyat Abu Bakar thi ,Aapki Chaar pushte Sahabi bani ,Rang Surkh v Safed aur Badan Dubla patla tha ,Aapne Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Kamalaat e Nabuwat sabse zyada Haasil kiye ,
⇰Mehboobe Sadiq ki Pasand ,
✪ Allama ibne Hajr Asqlani Reh .ne likha he k ek martaba Nabi Alaihissalam ne farmaya,
” Tumhari Duniya me se mujhe teen cheeze Mehboob he’n ,– Khushbu ,Nek Bivi aur meri Aankho ki thandak Namaz me he ,
Wafao ke Badshah Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ye sunkar tadap uthe aur arz kiya ,
” Ey Allah ke Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ! Mujhe bhi teen cheeze pasand he’n ,— Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Chehra e Anwar ko dekhna ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Hukm per Maal kharch karna aur Ye k meri Beti Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Nikaah me he ,
⇨ in teeno cheezo ka markaz v mahoor dekha jaye to Aaqa e Naamdaar Sallallahu Alaihivasallam ki Zaate Ba-barkaat banti he, Yahi Aashiq e Sadiq ki pehchan hoti he k uska sab kuchh apne Mehboob per Qurbani hota he ,
✪ Ek Martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Abu Bakar Raziyallahu Anhu ko Fate Kapdo me malboos dekha to farmaya ,–
Abu Bakar ! Tum per ek waqt khush hali ka tha ,ab tumhe Deen ki Vajah se kitni Mashakkate uthani pad rahi he’n ,
Abu Bakar Raziyallahu Anhu tadap kar bole ,
Agar saari Zindgi isi mashakkat me guzar du’n aur Shadeed Azaab me mubtila rahu’n hattaki thandi hawa ka jhoka bhi na lage ,,Ey Mehboob Sallallahu Alaihivasallam Aapki mi Muhabbat ke badle ye sab kuchh bardasht karna mere liye asaan he,
⇰ Siddiq Ke Liye He Khuda ka Rasool Bas ,
✪ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate he’n k Nabi Alaihissalam ne Hume infaaq fi sabilillah ka hukm diya ,mere paas kaafi Maal tha ,mene socha Aaj me Abu Bakar Raziyallahu Anhu se sabqat le jaunga ,
Chunache ,mene Adha maal Sadqa kiya ,
Nabi Alaihissalam ne puchha – Ahle khana ke liye kya chhora ,?
Mene arz kiya – iske barabar ,
Itne me Abu Bakar Raziyallahu Anhu bhi apna maal lekar aaye ,Nabi Alaihissalam ne puchha ,-
Ahle khana ke liye kya chhora ?
Arz kiya — Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko chhor kar aaya hu’n ,
Ye sunkar Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne kaha ,–
Me Tumhare saath kisi cheez me muqabla na karunga ,”
⇰Aql e insani he Faani Zinda Javed ishq ,
✪ Jab Nabi Alaihissalam ne Parda farma liya to Atraafe Madina ke baaz Qabile Deene islam SE fir gaye ,Siyasi halaat ne sangini Akhtyar kar li ,Aksar Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Raay thi k Lashkar e islam ko wapas bula liya jaye Jisko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Qaisar v Rom ke muqable ke liye rawana kar chuke the,
Lekin Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne farmaya,
” Qasam he us zaat ki jiske Siva koi ma’abood nahi ,Abu Bakar se ye hargiz nahi ho sakta k us Lashkar ko wapas kare Jisko Allah ke Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ne aage bheja he ,
Me us Lashkar ko hargiz wapas nahi bulaunga agarche mujhe yaqeen ho k meri Taange kheench kar le jayenge ,”
✪ ishq ka faisla Aqal ke faisle se mutsadim tha lekin Duniya ne dekha k Khair isi me thi ,Sazishe Khud ba khud Khatm ho gayi ,Dushmano ke hosle past ho gaye ,Siyasi haalat ka rukh badal gaya ,ishq ek martaba fir jeet gaya ,
✪ Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ek Martaba Apne ghar me ro ro kar Dua maang rahe the , Jab faarig hue to Ahle khana ne puchha k kya vajah thi ?
Farmaya k mere paas kuchh maal he Jo me Nabi Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me pesh karna chahta hu’n ,magar dene wale ka haath ouper hota he ,lene wale ka niche hota he ,Me apne Aaqa Sallallahu Alaihivasallam ki itni be adabi nahi karna chahta, isliye me Rab Kaynaat se ro ro kar Dua maang raha tha k ,Ey Allah ! Mere Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ke Dil me ye baat daal de k Wo Abu Bakar ke maal ko apna maal samajh kar kharch kare’n ,
⇰Chunache Dua qubool hui ,Hadees Paak ka mafhoom he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Abu Bakar Raziyallahu Anhu Ke Maal ko apne maal ki tarah Kharch karte the,
✪ Ek Hadees Paak ka mafhoom he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Beshaq logo me sabse bada Mohsin Khidmat aur Maal ke aitbaar se Abu Bakar Raziyallahu Anhu he’n ,
✪ Ishqe Avval —ishqe Aakhir ,
⇰Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne apni Wafaat se chand ghante pehle Sayyada Aayesha Raziyallahu Anha se puchha Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Wafaat kis Din hui aur Kitne kapdo me Kafan diya gaya ,?
Maqsad ye tha k mujhe bhi Yome Wafaat aur Kafan Dafan me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki muwafqat naseeb ho ,Zindgi me to mushabhat thi hi sahi faut hone me bhi mushabhat matloob thi ,
⇨ Allah Allah Ye Shoq e inteha he Aakhir ,
The Jo Siddiq Akbar Balki Aashiqe Akbar ,
✪ Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne Wafaat se pehle Vasiyat ki thi k Jab mera Janaza Taiyar ho jaye to Roza e Aqdas ke darwaze per le jakar rakh dena , agar darwaza khul jaye to waha Dafan kar dena varna Jannatul Baqi’a me Dafan karna ,
⇨ Chunache Jab Aap Raziyallahu Anhu ka Janaza Darwaze per rakha gaya to ,Taala khul gaya aur Darwaza bhi khul gaya ,
Aur ek Awaaz Sahaba Raziyallahu Anhum ne suni ,,Ek Dost ko Doosre Dost ki taraf le aao ,
( Shuwahidun Nabuwah ,)
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,- ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke saamne ek Martaba ek Yahudi aur ek Munafiq ka muqadma pesh huva ,Yahudi chunki Haq per tha Lihaza Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne uske Haq me faisla de diya ,
⇰Munafiq ne socha k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Yahudiyo’n per Sakht geer he’n ,Zara inse bhi Faisla karwa le ,
Jab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko maloom huva k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam pehle hi faisla de chuke he’n aur ye Munafiq apne Haq me faisla karwane ki Niyat se mere paas aaya he ,
⇨ Aap Apne ghar se Talwaar laye aur Munafiq ki gardan uda di ,fir kaha Jo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Faisle ko nahi maanta Umar uska faisla isi tarah karta he ,
 Tareekhul Khulfa ,88
⇨ Mehboob ke Mehboob ko Tarjeeh ,
✪ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne apne dure khilafat me Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu ka Wazifa Saade Teen Hazaar aur Apne Bete Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ka Teen Hazaar muqarrar kiya ,
⇨ Ibne Umar Raziyallahu Anhu ne puchha k Aapne Usama Raziyallahu Anhu ko tarjeeh kyu di ? Wo kisi Jung me mujhse aage nahi rahe ,
Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Jawab diya k Usama tumhari banisbat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko zyada Mehboob tha aur Usama ka Baap tumhare Baap ki banisbat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko zyada Pyara tha ,Pas mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Mehboob ko Apne Mehboob per Tarjeeh di ,
 Tirmizi ,Kitabul munaqbat Zaid bin Harisa ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Usman Raziyallahu Anhu aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,- ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Adab pehla Qareena he Muhabbat ke Qareeno me ,–
⇰Jab Sulah Hudebiya ke moqe per Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu ko numainda bana kar Makka Mukarrama bheja gaya to Qureshe Makka ne Musalmano ko Makka me daakhil hone ki ijazat nahi di , Jab Sahaba Kiraam ko Pata Chala to bahut gamgeen huve ,
⇨ Baaz ne kaha k Usman Raziyallahu Anhu khush qismat he’n k Betullah ka Tawaaf karke aayenge ,
⇨ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Usman mere bager Tawaaf nahi karega ,
⇨ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu wapas aaye to Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne puchha k kya Aapne Betullah ka Tawaaf bhi kiya ?
Unhone Jawab diya k Allah ki Qasam ,Quresh mujhe Tawaaf karne ke liye israar karte rahe agar me waha ek saal bhi muqeem rehta to bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke bager Tawaaf na karta ,
⇰Tu mera Shoq dekha mera intezar dekh,
✪ Ek martaba Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko ghar khane ke liye madu kiya ,Jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke saath Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ki taraf chale to Hazrat Usman Raziyallahu Anhu saara Raasta Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke qadam Mubarak ki taraf dekhte rahe ,
⇨ Sahaba kiraam ne jab ye baat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko batayi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se iski Vajah daryaft ki ,
⇨ Unhone arz kiya, Ey Allah ke Mehboob Sallallahu Alaihivasallam !
Aaj mere ghar me itni muqaddas hasti aayi he k meri khushi ki inteha nahi ,mene Niyat ki thi k Aap Sallallahu Alaihivasallam Jitne Qadam apne ghar se chal kar yaha’n aayenge ,me utne Gulaam Allah ke Raaste me Azaad karunga ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Aakhri Gusl dete hue Jo tarikhi alfaz kahe Wo poori Ummat ke Jazbaat ki tarjumani karte he’n ,
⇰” Mere Maa’n Baap Aap Sallallahu Alaihivasallam per Qurban , Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Wafaat se WO cheez jati rahi Jo kisi doosre ki maut se nahi gayi thi yani Vahi Aasmani ka silsila khatm ho gaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Judaai Azeem sadma he ,Agar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sabr ka hukm na diya hota to hum Aap Sallallahu Alaihivasallam per Aansu bahate taham dard v darman aur Zakhm ka ilaaj fir bhi na hota ,”
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Zaid Raziyallahu Anhu aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Fateh Makka se pehle Hazrat Zaid Raziyallahu Anhu Dushmanane Islam ke haatho giraftaar ho gaye ,
⇰Abu Sufiyan ( Raziyallahu Anhu) ne unse puchha k Ey Zaid ! Me tumhe Allah Ta’ala ki qasam de kar puchhta hu ,Sach bata ,kya tumhe ye baat pasand he k tum apne Bivi bachcho ke paas hote aur tumhari Jagah tumhare paigambar e Islam hote ?
⇨ Hazrat Zaid Raziyallahu Anhu ne tadap kar kaha ,Allah Ta’ala ki qasam ! Mujhe to ye bhi pasand nahi k me apne ahal me rahu aur mere Aaqa v Sarddaar ko kaanta chubhe ,
⇨ Ye Sunkar Abu Sufiyan ( Raziyallahu Anhu ) ne kaha k mene kahi nahi dekha k kisi se itni Muhabbat ki jati ho jitna k Musalman apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam se karte he’n,
( Seerat ibne Hishaam )
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Bilaal aur Amr bin Aas Raziyallahu Anhum aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ka Waqte Wafaat qareeb aaya to Bivi ne kaha ,” Haay kya gam ,,,”
⇰Aapne farmaya ,- Waah kya khushi k kal hum Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Unke Sahaba Se milenge ,”
⇨ isse pata chalta he k Sahaba Kiraam kis tarah diwanavaar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat karte the ,
( Shifa e Sharif )
✪ Hazrat Amr bin Aas Raziyallahu Anhu ki Wafaat ka waqt qareeb aaya to unhone apne Sahabzade ko farmaya ,
⇨” Koi Shakhs mere najdeek Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Zyada Mehboob aur meri Aankho me unse Zyada jalalat v haibat wala na tha ,Mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki haibat ki Vajah se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf Aankh bhar kar na dekh sakta tha ,
( Bukhari Sharif )
. ✿_ﷺ_✿
✿صلى الله على محمدﷺ ✿
. ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿
֏☞ , Hazrat Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu ki ita’at e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,-
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke moonh se nikalne wali har baat per poora Amal karne ko imaan ka laazmi juzv khayal karte the, Zindgi ke Chhote se chhote maamle me bhi is baat ka khayal rakhte the k koi baat esi na chhoot jaye jiska Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se hukm mila ho ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ka har hukm unke liye farz ka darja rakhta tha ,
⇰Ek martaba Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Masjide Nabvi me khutba de rahe the, Jis waqt Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu Sahan e Masjid me dakhil hone wale the to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki ye awaaz sunayi padi k ,” Sab log apni apni jagah per beth jaye’n ,”
Is awaaz ko Sunte hi Abdullah bin Rawaha foran waha raaste me hi beth gaye ,
⇨ Khutba khatm hone per logo ne ita’at ka ye waqya Aap Sallallahu Alaihivasallam ko bataya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Haa’n Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu ese hi he’n ,Allah unki hirs ko aur uske Rasool ki ita’at me zyada kare ,”
( Asaba Hafiz ibne Hajr ,4/66)
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Abdullah bin Zaid Ansari Raziyallahu Anhu aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Abdullah bin Zaid Ansari Raziyallahu Anhu Kabhi kabhi Masjide Nabvi me Azaan dete the ,
⇰Jab unhone Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Wafaat ki khabar Suni to is qadar gamzada hue k apne nabeena hone ki Dua maangi ,Jo qubool ho gayi ,
⇨ Logo ne puchha ,Esa kyu kiya ?
Farmaya, ” Meri Aankho ki binaayi isliye thi k me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka didaar karu ,Jab Mehboob ne Parda kar liya to binaayi ki kya zarurat he ,”
Shwahid Annabuwah ,179 )
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Shoqe Ziyarat me Sahaba ki Haalat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Baaz Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne ye qasam utha rakhi thi k Jab hum Subeh uthenge to sabse pehle Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka didaar karenge ,
⇰Chunache Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke hujre ke bahar beth kar intezar karte ,Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef late to Aap Sallallahu Alaihivasallam ka didaar karne ke liye Aankhe khol te ,
⇨ Allah Ta’ala hi behtar jaanta he k in Hazraat ne apni qasmo ko kese poora kiya hoga ,Baaz Hazraat Raat ke waqt ghar soye hue hote Aankh khul jati to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke khayal Mubarak se dil udaas ho jata ,Ghar Se bahar aakar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke hujraat ki ziyarat karte rehte ,ghanto bethe dekhte rehte k ye Wo jagah he k jaha’n mere Mehboob Sallallahu Alaihivasallam Soye huve he’n ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu Ki Muhabbat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hijrat ke baad Madina me Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ki mezbani ka sharf Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu ko Haasil hua ,Aapne mezbani ka Mukammal haq ada kiya ,Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne taqriban 6 mahine tak inke ghar me qayaam farmaya,
⇰Ahatrame Nabuwat ka ye haal tha k Pehle din jab ye bala khane per rahe aur Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam niche ki manzil per to in dono Miya Bivi ko is ahsaas se neend nahi aayi k hum log to ouper he’n aur Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ki paak v muqaddas zaat niche ,Raat bhar dono ek kone me ikatthe bethe rahe ,
✪ ishq v aqeedat ka ye khayal tha k rozana khana paka kar Pehle Sara ka Sara Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me bhej dete the, Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam khana tanvul farma lete to Jo khana bachta tha usko ye dono Miya Bivi kha lete the ,ittiba e Rasool ka ye haal tha k dono ungliyo’n ke nishaan dekhte k jis taraf se Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne nosh farmaya hota usi taraf se khate ,
✪ Ek Martaba Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne khana nahi khaya balki isi tarah wapas lota diya to ye bahut bechain hue ,foran betaab v beqaraar Khidmate Aqdas me haazir hue aur Arz kiya ,” Ya Rasulallah ! Aakhir Esi kya galti ho gayi k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khana nanawul nahi farmaya, ”
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne vajah batayi k Aaj khane me lahsun ki boo aa rahi thi aur me lahsun pasand nahi karta varna aur koi Vajah khana lotane ki na thi ,”
Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu ne arz kiya ,” Jo cheez Aap Sallallahu Alaihivasallam ko na pasand he ,usko me bhi pasand nahi karunga ,Chunache unhone apni baqiya Zindgi me kabhi lahsun na apne ghar me dakhil hone diya aur na chakha ,
↳ ®– Sahi Muslim ,2/ 198
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu ka itteba e Sunnat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu jab bhi Hajj ke liye rawana hote to Raaste me ek jagah oount ko rokte aur Raaste se hat kar ek jagah ese beth te jese k Qaza e haajat se faarig ho rahe ho ,fir thodi dair ke baad uth kar apna safar shuru kar dete ,
⇰ Log puchhte k Jab faragat ki zarurat nahi thi to Rukne ka kya faayda ?
Aap Raziyallahu Anhu farmate k mene ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke saath Safar karne ki Sa’adat Haasil ki ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam is jagah ruke aur faarig hue ,
Bas isi ki yaad me Jab is jagah pahunchta hu’n to me bhi mushabhat Haasil karne ke liye thodi dair beth jata hu’n ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu Ki Mehman Nawazi ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Madina ki hijrat ke liye rawana hone ki khabar Ahle Madina to khushi se foole na samaye, Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu aur digar Ansar rozana Madina se 3-4 meal bahar har subeh aakar Aap Sallallahu Alaihivasallam ki aamad ka intezar karte aur dopahar hone per wapas lot te ,
⇰Sab logo ko ye istiyaaq tha k Kaash Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam uski mezbani ka sharf farmaye ,
✪ Hijrat karke jab Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Madina munavvara pahunche to qismat SE Aap Sallallahu Alaihivasallam ki mezbani ka ye Sharf Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu ko hi Haasil hua ,
⇨ Aapka Makaan do manzila tha , Aapne pehli manzil ko is khayal se khali kar diya k Zayreen Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko mulaqaat me pareshani na ho ,Aapne apne Ahlo ayaal ko ouper ki manzil me muntaqil kar diya , Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu har waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me dilo jaan se masroof rehte the, dono waqt khana pahunchate aur bacha hua khana tabarruk ke tor per khate the ,
✪ Ek Din ouper ki manzil per ek paani ka ghada toot gaya aur tamaam paani fel gaya ,Aapko ye khatra hua k kahi esa na ho k paani niche Tapke aur Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko takleef ho isliye Aapne apne lihaaf me sab paani jazb kar dala ,Unke paas oadne ke liye bas yahi lihaaf tha ,isliye tamaam Raat Sardi me thutar kar kaati ,magar apne Mehboob Mehman Sallallahu Alaihivasallam ki takleef ke khof se paani ko nahi felne diya ,
. ✿_ﷺ_✿
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Shoqe Ziyarat me Sahaba ki Haalat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Baaz Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne ye qasam utha rakhi thi k Jab hum Subeh uthenge to sabse pehle Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka didaar karenge ,
⇰Chunache Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke hujre ke bahar beth kar intezar karte ,Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef late to Aap Sallallahu Alaihivasallam ka didaar karne ke liye Aankhe khol te ,
⇨ Allah Ta’ala hi behtar jaanta he k in Hazraat ne apni qasmo ko kese poora kiya hoga ,Baaz Hazraat Raat ke waqt ghar soye hue hote Aankh khul jati to Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke khayal Mubarak se dil udaas ho jata ,Ghar Se bahar aakar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke hujraat ki ziyarat karte rehte ,ghanto bethe dekhte rehte k ye Wo jagah he k jaha’n mere Mehboob Sallallahu Alaihivasallam Soye huve he’n ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Sahabiyaat Raziyallahu Anhuma aur Muhabbat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,- ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Junge Uhad me ye afwaah Charo taraf fel gayi k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Shaheed ho gaye he’n to Madina ki Aurte’n Shiddate gam se roti hui gharo se bahar nikal aayi ,Ek Ansariya Sahabiya Raziyallahu Anha kehne lagi k me is baat ko us waqt tak tasleem nahi karungi jab tak k khud iski tasdeeq na kar lu ,
⇰ Chunache Wo oount per sawaar hokar Uhad ki taraf nikal padi ,Jab maidane Jung ke qareeb pahunchi to ek Sahabi Raziyallahu Anhu saamne se aate hue dikhe to unse puchhne lagi. ” Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ka kya haal he ?
Unhone jawab diya – maloom nahi lekin tumhare Bhai ki laash mene fala jagah dekhi he ,
⇨ Bhai ki khabar sunkar Zara bhi nahi ghabrayi balki aage bad gayi ,aur doosre Sahabi Raziyallahu Anhu se puchha ,” Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ka kya haal he ?
Unhone jawab diya – Maloom nahi magar tumhare Walid ki laash mene fala jagah dekhi he ,
⇨Walid ki khabar sun kar bhi Wo pareshan nahi hui aur aage bad gayi ,fir Teesre Sahabi Raziyallahu Anhu se puchha k ,'” Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ka kya haal he ,?”
Unhone bataya k mene tumhare Khawind ki laash fala jagah dekho he ,
Ye khabar Sun kar bhi Wo tas se mas na hui ,fir puchha k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khairiyat ke bare me batao ,
⇨ Kisi ne kaha k mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko fala jagah ba- Khairiyat dekha he ,
⇨ Wo Ansariya Sahabiya Raziyallahu Anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ke qareeb pahunch kar chaadar ka ek konsa pakad kar kehne lagi ,
” Har musibat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke baad asaan he ,
☞ Isse pata chalta he k Sahabiya Raziyallahu Anha ke Quloob me Jo Muhabbat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke liye thi Wo Baap ,Bhai aur Shohar ki Muhabbat se bhi zyada thi ,Yahi imaane Kaamil ki nishani he ,
↳ ₢ Seerat ibne Hishaam ,
✪ Ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Kiraam ko hukm diya k Jihaad ki taiyari kare ,Har ghar me taiyari zoro per thi ,Ek ghar me ek Sahabiya Raziyallahu Anha apne Bachche ko god me liye Zaaro qataar ro rahi thi ,Unke Khawind pehle hi kisi Jihaad me Shaheed ho chuke the, Ab ghar me koi bhi esa Mard nahi tha k Jisko Wo taiyaar karke Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke hamraah bhejti ,
⇰Jab bahut der tak roti rahi aur tabiyat bhar aayi to apne masoom bete ko Seene se lagaye Masjide Nabvi me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me pesh hui aur apne Bete ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki god me daal kar kaha ,
” Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Mere Bete ko Jihaad ke liye qubool farmaiye ,”
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hairaan hokar farmaya ,
” Ye masoom Bachcha Jihaad me kese ja sakta he ? ”
Wo kehne lagi ,k mere ghar me koi bada Mard nahi he jisko bhej saku ,Aap Sallallahu Alaihivasallam isi ko qubool farma le’n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, k Ye Bachcha Jihaad kese karega ?
To Wo Sahabiya kehne lagi k mere is Bachche ko kisi ese Mujahid ke hawale kar dijiye Jiske haatho me dhaal na ho taki Wo Teero se bachne ke liye mere Bete ko aage kar de ,mera Beta Dushmano ke Teero ko rokne ke kaam aa sakta he ,”
✪ Subhanallah ,! Tareekh e insaniyat esi misaale pesh karne me qaasir he’n k Ek Aurat aur Ek Maa’n jesi shafeeq hasti Famane Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam sun kar us per Amal karne ke liye itni beqaraar hui k Masoom Bachche ko Shahadat ke liye pesh kar deti he ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Ummul Momineen Umme Habiba Raziyallahu Anha aur Muhabbat v Azmat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ummul momineen Umme Habiba Raziyallahu Anha ke Walid Abu Sufiyan ( Raziyallahu Anhu) Suleh Hudebiya ke zamane me Madina pahunche to apni Beti se milne Aaye ,Qareeb pade Bistar per bethne lage to Umme Habiba Raziyallahu Anha ne jaldi se Bistar ko lapet liya ,
⇰ Abu Sufiyan ne kaha ,” Beti Mehman ke aane per Bistar bichhate he’n Bistar lapet te nahi he ,”
Umme Habiba Raziyallahu Anha ne Kaha , ‘”Abba Jaan ! Ye Bistar Allah Ta’ala ke pyare aur paak Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ka he ,Jabki Aap mushrik hone ki Vajah se napaak he’n ,Lihaza is Bistar per nahi beth sakte,
⇨ ( Abu Sufiyan us waqt tak islam nahi laye the ,)
⇨ Abu Sufiyan ko bada ranj hua magar Umme Habiba Raziyallahu Anha ke Dil me Jo Muhabbat aur Azmat Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki thi uske saamne khooni Rishte ki koi haisiyat nahi thi ,
✪ Qurban Jaiye unke is pyare Amal per k Baap ka talluq chhoot ta he to chhoot jaye ,Magar Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ka Daaman haath se na chhootne paye ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Mujhe na dekh Bhejne Wale ko Dekh ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ek Sahabi Hazrat Rabiya Aslami Raziyallahu Anhu nihayat gareeb nojawan the ,Ek martaba Tazkira chhida k inhe koi apni Beti ka Rishta dene ko taiyaar nahi he ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Ansar ek Qabile ki nishandehi ki k unke paas jakar Rishta maango ,
⇰Wo Sahabi Raziyallahu Anhu gaye aur bataya k me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke mashware se haazir hua hu’n taki mera Nikaah aapki Beti se kar diya jaye ,
⇨ Baap ne kaha ,Bahut achchha hum ladki se maloom kar le’n ,
⇨ Jab ladki se puchha gaya to kehne lagi ,
” Abu Jaan ! Ye mat dekho k Kon aaya he ,balki ye dekho k bhejne wala kon he ,”
Chunache foran Nikaah kar diya gaya ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Saad Raziyallahu Anhu ka Waqya Khoobsurat Andaz me ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
Ek Banda Saad nami Aap ( S.A) ka Ashaab tha ,
Rang Kala tha aur Naqad me nayaab tha ,
Ek din Dariya e Rehmat Aa gaya YU Josh me ,
Saad ko Bethe bithaye le liya Agosh me ,
Saad Tune Apni Shadi Aaj tak ki ya nahi ,
Saad Bole Rishta kale ko koi deta nahi ,
Bad shakal bad rang hona isme mera chara kya ,
Mene Wo rang paya Jo mere Rab ne diya ,
Kale gore ka khayal aate hi Jazba aa gaya ,
Josh me aa kar usi Dam Aap( SA) ne farma diya ,
Saad mene aaj tera Aqd usse kar diya ,
Apne Chacha ko jakar ye khabar jaldi bata ,
Saad ne sun kar Nabi ki Guftgu ,parvaaz ki ,
Apne Chacha ke darwaze per Awaaz di ,
Sun kar ye awaaz Wo jaldi bahar aa gaye ,
Saad ki sun kar Guftgu bahut ghabra gaye ,
Bole k tu rang ka kala he aur muflis gareeb,
Me tujhe ladki du apni ye kaha tera naseeb ,
Saad bole apni marzi se to me aaya nahi ,
Mustufa ( SA) ne bheja tha aur jata hu wahi ,
Ladki unki Sun rahi thi Saad ke saare jawab ,
Boli Abu Khair to he kyu tha gusse ka khitab ,
Baap bola Saad Habshi mere dar aaya tha ,
Aur tujhse Shadi ka paigaam mujh tak laya tha ,
Rang ka he kala aur muflis v mohtaaj bhi ,
Meri izzat aur daulat ki na rakhi laaj bhi ,
Chaand si Beti use de du ye to mumkin nahi ,
Wo do kodi ka bane damaad ho sakta nahi ,
Ladki Boli khud payame Aqd lekar aaya tha ,
Ya kisi ne bheja tha banke qaasid aaya tha ,
Baap bola Khud SE me aaya nahi kehta tha Wo ,
Saeware Konen ne bheja he mujhko Beti do ,
Sunkar bas is baat ko ladki to Wo chilla uthi ,
Kya gazab ki baat Abba tumne aaj usse kahi ,
Kab me kehti hu k Uske Rang kale ko dekh ,
Me to kehti hu k uske bhejne wale ko dekh ,
Mene mana Kala he Wo husn me maand he ,
Bheje wala to lekin Chodhvi ka Chaand he ,
Teri Beti uske kale Rang per masroor he ,
Kali kamli wale ki Marzi mujhe manzoor he ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Ansar Ka Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Sohbat ko Tarjeeh dena ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Imaam Bukhari Rahmatullah ne Hazrat Abdullah bin Zaid bin Aasim Raziyallahu Anhu ke hawale se Rivayat kiya he ,:—
⇰Jab Allah Ta’ala ne Gazva e Hunain me Apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko maale ganimat ata farmaya to Aapne Wo maal un logo me Taqseem farmaya jinhe islam per saabit qadam rakhna matloob tha aur Ansar ko usme se kuchh na diya ,Ansar ke Dilo me ye baat khatki k logo ko to Maal diya gaya aur unhe kuchh bhi na diya gaya ,
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ansar ke saamne Khutba irshad farmaya,
” Ey giroh Ansar. ! Kya mene tumhe sidhi Raah se bhatakte hue na paya ,fir Allah Ta’ala ne mere zariye se tumhe Hidayat ata farmayi ,Tum bikhre hue the, mere saath tumhe Allah Ta’ala ne jod diya ,Tum tang dast the Allah Ta’ala ne tumhe mere saath tawangari ata farmayi ,”
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam Jo bhi farmate Ansar jawab me arz karte ,
” Allah Ta’ala aur unke Rasool Sallallahu Alaihivasallam bahut zyada ahsaan karne wale he’n ,”
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,
” Agar tum chahte to keh sakte the k Aap bhi to hamare paas esi hi haalat v kaifiyat me aaye the, ”
” Kya Tum is baat per Razi nahi k log bakriya’n aur oount lekar jaye aur Tum apne gharo me Apne nabi ( Sallallahu Alaihivasallam) ko lekar jao ,?”
” Agar Hijrat na hoti to me Ansar hi me se hota ,Log kisi bhi Vaadi ka rukh kare me to Ansar hi ki Vaadi ki taraf jaunga ,Ansar Andar wale aur doosre log bahar wale he’n ,( Ansar qareebi log he’n aur doosre Door ke he’n ) ,”
” Mere baad apne bare me bukhl paaoge ,pas Sabr karna yaha tak k Hoz ( Hoze Kausar ) per mujhse mulaqaat karo ,”
⇨ Hazrat Abu Saiyd Raziyallahu Anhu ne bayan kiya ,
” Log is qadar roye k unki daadiya’n Aansuo’n se tar ho gayi ,aur unhone kaha ,,Hum Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko Apni qismat aur naseeb me paa kar Raazi hue ,”
✪ imaam ibnul Qayyim Reh. farmate he’n ,
” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jab un per Taqseem e maal ki hikmat bayan farmayi Jo un per makhfi thi ,to Wo farma bardaar hokar palte ,unhone samajh liya k sabse badi ganimat to ye he k Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko le kar apni Basti me lote he’n ,Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Zindgi aur Wafaat dono haalato me rafaqat ki Azeem dolat mayassar aane per bakriyo’n ,Oount ‘n ,Londiyo’n aur Gulaamo ko bilkul bhool gaye ,”
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Ansar Ka Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Sohbat ko Tarjeeh dena ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Imaam Bukhari Rahmatullah ne Hazrat Abdullah bin Zaid bin Aasim Raziyallahu Anhu ke hawale se Rivayat kiya he ,:—
⇰Jab Allah Ta’ala ne Gazva e Hunain me Apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko maale ganimat ata farmaya to Aapne Wo maal un logo me Taqseem farmaya jinhe islam per saabit qadam rakhna matloob tha aur Ansar ko usme se kuchh na diya ,Ansar ke Dilo me ye baat khatki k logo ko to Maal diya gaya aur unhe kuchh bhi na diya gaya ,
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ansar ke saamne Khutba irshad farmaya,
” Ey giroh Ansar. ! Kya mene tumhe sidhi Raah se bhatakte hue na paya ,fir Allah Ta’ala ne mere zariye se tumhe Hidayat ata farmayi ,Tum bikhre hue the, mere saath tumhe Allah Ta’ala ne jod diya ,Tum tang dast the Allah Ta’ala ne tumhe mere saath tawangari ata farmayi ,”
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam Jo bhi farmate Ansar jawab me arz karte ,
” Allah Ta’ala aur unke Rasool Sallallahu Alaihivasallam bahut zyada ahsaan karne wale he’n ,”
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,
” Agar tum chahte to keh sakte the k Aap bhi to hamare paas esi hi haalat v kaifiyat me aaye the, ”
” Kya Tum is baat per Razi nahi k log bakriya’n aur oount lekar jaye aur Tum apne gharo me Apne nabi ( Sallallahu Alaihivasallam) ko lekar jao ,?”
” Agar Hijrat na hoti to me Ansar hi me se hota ,Log kisi bhi Vaadi ka rukh kare me to Ansar hi ki Vaadi ki taraf jaunga ,Ansar Andar wale aur doosre log bahar wale he’n ,( Ansar qareebi log he’n aur doosre Door ke he’n ) ,”
” Mere baad apne bare me bukhl paaoge ,pas Sabr karna yaha tak k Hoz ( Hoze Kausar ) per mujhse mulaqaat karo ,”
⇨ Hazrat Abu Saiyd Raziyallahu Anhu ne bayan kiya ,
” Log is qadar roye k unki daadiya’n Aansuo’n se tar ho gayi ,aur unhone kaha ,,Hum Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko Apni qismat aur naseeb me paa kar Raazi hue ,”
✪ imaam ibnul Qayyim Reh. farmate he’n ,
” Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jab un per Taqseem e maal ki hikmat bayan farmayi Jo un per makhfi thi ,to Wo farma bardaar hokar palte ,unhone samajh liya k sabse badi ganimat to ye he k Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko le kar apni Basti me lote he’n ,Wo Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Zindgi aur Wafaat dono haalato me rafaqat ki Azeem dolat mayassar aane per bakriyo’n ,Oount ‘n ,Londiyo’n aur Gulaamo ko bilkul bhool gaye ,”
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Elaane Hurmat per Sharaab ko Madina ki Galiyo’n me baha dena ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate he’n k ,me Abu Talha Raziyallahu Anhu ke ghar ek giroh ko Fateeh nami Sharaab pila raha tha, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ek munadi karne wale ko hukm diya k Wo elaan kare ,,
” Suno Beshak Sharaab ko haraam qaraar de diya gaya he ,”
⇰Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne bayan kiya ,” Abu Talha Raziyallahu Anhu ne mujhse kaha ,
” Ye sharaab bahar udel do ,”
Me utha aur Sharaab ko bahar udel diya ,
( logo ke kasrat se sharaab galiyo’n me udelne ki Vajah se ) Wo galiyo’n me behne lagi ,
⇨ Sharaab ki harmat ka elaan sun kar Sachchi Muhabbat karne wale paak baaz insano ka radde Amal use galiyo’n me fekne ke Siva aur kuchh na tha aur isi bina per Sharaab galiyo’n me is tarah behne lagi jis tarah sailaab ka pani galiyo’n me behta he ,
Sahih Bukhari ,
⇨ Allahu Akbar in Paak baaz aur Muhabbat karne walo ki itteba v ita’at e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke kya kehne ,inhi sachche aur muqaddas logo ke Mutalliq Rabbul Aalameen ka irshad he ,
” Momino ki shan to ye he k Jab Allah Ta’ala aur uske Rasool ki taraf faisle ke liye bulaye jaye to unka jawab iske Siva kuchh nahi ho ,humne hukm suna aur hukm maana , yaqinan ese hi log he’n Jo kamyaab hue ,”
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ ,Ek Aurat ka Aap Sallallahu Alaihivasallam se Vaiyde Sunkar Sone ke Dono Kangan Utaarna ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki itteba karne wale sirf Sahaba kiraam hi nahi the balki Aapse Muhabbat karne wali imaandar Sahabiyaat bhi usi tarah Aapki ita’at karti thi ,
✪ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he ,Unhone bayan kiya k ek Aurat Apni Beti ke Saath Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hui ,Beti ki kalaiyo’n me sone ke do mote mote Kangan the,
⇨ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,,
” Kya tum inki Zakaat ada karti ho ? ”
Aurat ne arz kiya ,” Nahi ,”
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Kya tumhe ye baat pasand he k Sone ke in do Kangano ki vajah se tumhe Jahannam ki Aag ke do Kangan pehnaye jaye ? ”
⇨ Raavi ka bayan he Aurat ne Wo dono Kangan utaar kar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me pesh kar diye aur Arz kiya ,
” Ye dono ( Kangan ) Allah Ta’ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke liye he’n ,”
✪ Allahu Akbar ! Aurat ne Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke irshad ki tameel me un Kangano ki Zakaat ada karne per hi iktifa na kiya balki unki milkiyat hi se Dastbardaar hote hue unhe Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me pesh kar diya k Aap Sallallahu Alaihivasallam jaha chahe Allah ki Raah me unhe kharch kar de’n ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , itteba e Sunnat ki Khasiyat ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Haaji imdadullah Muhajir Makki Reh. Farmate he’n k itteba e Sunnat ki khasiyat ye he k isme mehbubiyat he ,aur mehbubiyat ka khassa he k Jab insaan itteba e Sunnat ka Tareeqa akhtyar karta he to Allah Ta’ala usko apni taraf kheench lete he’n,
✪ Quran Majeed me irshad he ,
Surah Ash-Shura, Aayat 13:
اللَّهُ يَجْتَبِي إِلَيْهِ مَن يَشَاءُ وَيَهْدِي إِلَيْهِ مَن يُنِيبُ
” Apni taraf kheench leta he Jisko Chahta he Hidayat deta he us Shakhs ko Jo Allah Ta’ala se Ruju kare ,”
⇨ Chunache Hazrat Haaji Reh .Farmate he’n ,k itteba e Sunnat me mehbubiyat ki khasiyat he aur iski khasiyat ka taqaza ye he k Jo Shakhs bhi itteba e Sunnat ke Raaste per Chalega Allah Ta’ala khud usko Apni taraf Kheench lega ,
⇨ Apne Aapko Sunnat ke saanche me dhaal lo goya tumhari Subeh se le kar ki Zindgi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat ki pervi me basar honi chahiye ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Itteba e Sunnat Kuchh Mushkil Nahi ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ itteba e Sunnat ke ye ma’ani he k Zindgi ke har kaam ko us tareeqe se anjaam dena Jo Tareeqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Tajveez farmaya aur Jis per Amal karke dikhaya he ,Ye he itteba e Sunnat,
✪ Ab sawal ye paida hota he k Zindgi ke har shobe me Sunnat ki pervi ho ye bhi to bada mushkil kaam he ,Hamare Hajraat ne iska bhi Tareeqa tajveez kar diya ,Ab koi Aadmi karna hi na chahe to Wo baat alag he ,lekin Tareeqa to hamare buzurgo ne bata diya k ek hi din me aur ek hi Raat me saari sunnato ko tum Shayad kar na sabko lekin is Raaste ki taraf chalna Shuru kar do ,
⇨ Sirf zaviya nigaah badalne ki baat he ,::—
✪ Jo kaam Aap subeh se shaam tak karte he’n un kaamo ko Jo aaj bhi kar rahe he’n itteba e Sunnat ki niyat se anjaam dena shuru kar do. ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Khana Khate waqt itteba e Sunnat ki Niyat Kijiye,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Chunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne bhi khana tanavul farmaya to khana khate waqt ye Tasavvur kar le k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam bhi khana tanavul farmaya karte the ,
⇰Aapka Tareeqa ye tha k khane se pehle ,” Bismilla hirrahman Nir Raheem ,” padhte the , aur khane ke baad ye keh kar Allah ka Shukr Ada karte the ,
” Alhamdulilla hillazi at’amna va saqana va ja’alna minal muslineen ,”
✪ Khane ke waqt ye Niyat kar le k me apne nafs ka haq ada kar raha hu aur Doosra ye k jis tarah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam khana khaaya karte the us tareeqe per khana kha raha hu ,To is tarah khane ke tareeqe me itteba e Sunnat Haasil hogi ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Ghar Jate waqt bhi itteba e Sunnat ki Niyat Kijiye,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
⇨ Ghar Jate waqt itteba e Sunnat,
✪ Jab ghar jate he’n to Bivi Bachcho se yaqinan baate karte he’n, lekin Niyat ye kar le k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam jab bhi ghar aate to ghar walo se Khanda Peshani ke saath pesh aate the, Unse khush tabiyat se baate karte the,
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam Raat ko Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko Aurto’n ki kahani suna rahe he’n k ,
” Ey Aayesha Yaman ke Andar gyarah ( 11 ) Aurte’n thi ,unhone Aapas me ye tay kiya tha k har Aurat apne Shohar ka haal bayan karegi ,,,,,,,,”
⇨ Garz poora waqiya Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko sunaya Jo Bukhari Sharif me aaya he ,”
✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se farma rahe he’n k bahar sahan me Habshi log neza baazi ka muzahira kar rahe he’n, tum dekhna chahti ho ,?
✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko kandhe ke pichhe khada kar liya k yaha se dekh lo taki Parda bhi barqarar rahe ,
⇰Aap Sallallahu Alaihivasallam ki neza baazi me dilchaspi nahi thi lekin unki dildaari ki khatir Aapne thodi der ke baad puchha k Aayesha chale ,
↬Hazrat Aayesha ne farmaya, Nahi ya Rasulallah abhi aur dekhungi ,
⇰Aap Sallallahu Alaihivasallam aur khade hue aur farmaya ,
“ke Tumme Sabse behtar Wo log he’n Jo apni Aurto’n saath Achchha Sulook kare ,aur me Apni Aurto’n ke saath sabse Achchha Sulook karne wala hu’n ,”
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Har Kaam me itteba e Sunnat ki Niyat kar le ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Apne Ghar walo se Hansi mazaaq bhi kare to. dil me ye Niyat Kare k Huzoor Sallallahu bhi ghar walo se khush tabiyat raha karte the, lihaza mai itteba e Sunnat ki khaatir ye kaam kar raha hu’n ,
✪ Aap bhi Bachcho ke saath khelte he’n aur jab ghar jate he’n to Bachcha Achchha lagta he aur Aap god me utha lete he’n ,magar hum ye sab gaflat ke Aalam me karte he’n,
⇨ Ab ghar jao to ye Tasavvur kar lo k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Bachcho ke saath safqat farmaya karte the ,
⇨ Hadees me aata he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Khutba de rahe he’n, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne dekha k Hasan Raziyallahu Anhu aur Husen Raziyallahu Anhu ludhakhte hue Masjid ke Andar aa rahe he’n,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mimbar se niche utar kar unko god me utha liya ,Kyuki Aapko Bachcho ke saath bahut Muhabbat thi ,
⇨ Aaj ye soche k mai Ye kaam Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat ki itteba me kar raha hu’n ,To ye Amal itteba e Sunnat ke saanche me dhal jayega ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Itteba e Sunnat Kuchh Ki Ahmiyat Hazrat Mujaddid Alfisani Rahmatullah Ki Nazar me ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Mujaddid Alfisani Rahmatullah farmate he’n k Allah Ta’ala ne mujhe ilme Zahir ata farmaya ,Yani ye ilme Hadees Tafseel ke saath hasil kar chuka to khayal aaya k Sufiya kiraam Jo uloom liye bethe he’n unko bhi dekhna chahiye k ye kya uloom he ,
✪ Sufiya Kiraam ke Jo Silsile he’n Wo saare mene Haasil kiye aur Jo tareeqe unhone bataye he’n sab per Amal kiya ,Yaha tak k Allah Ta’ala ne iske natije me mujhe esa maqaam ataa farmaya k mai Aapko kya batau ,log kahenge ye khud numai kar raha he ,
⇨ Lekin ye Haqeeqat he k Allah ne mujhe is maqaam tak pahunchaya k khud Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apne daste Mubarak se mujhe Khul’at pehnaya ,
AUR farmaya k mai isse bhi aage us maqaam tak pahuncha k agar mai iski tafseel bayan karu to Fuqha kahenge k ye kaafir ho gaya aur Sufiya kahenge k ye Zindeeq ho gaya ,lekin Wo maqamaat mene apni Aankho se dekhe ,Un saare maqamaat ko Haasil karne ke baad mai ek esi Dua karta hu’n in sha Allah Jo is Dua per Aameen kahega uski bhi Nijaat ho jayegi ,
⇨. Dua Ye he ,
” Ey Allah ! Mujhe itteba e Sunnat ki Zindgi ataa farma aur Usi per mujhe Maut ataa farma aur itteba e Sunnat hi ke haal me mera Hashr farma ,,,Aameen,, ”
✪ Yaad rakhiye ! Log Jo kuchh Karamaat v ilhaam vagera Bayan karte he’n koi Haqeeqat nahi rakhte ,Jo kuchh maqaam aur Martaba he Wo itteba e Sunnat hi ka he , Buniyadi Baat itteba e Sunnat ki fikr paida karna he ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Ye Kaam Sochne Ka nahi Karne Ka he ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Thanvi Reh. Farmate he’n k Ahliya ke itteba e Sunnat ka ahatmam dekhne ke baad mene ye kaam kiya k Apni Zindgi ka Jaayza liya ,Saare Kaam Chhor kar Teen din is kaam me sarf kiye k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnato ka jaayza liya k Konsi Sunnat per Amal Karta hu’n aur Konsi Sunnat per Amal nahi karta aur Jis per nahi karta us per Amal shuru karu ,
⇰Farmate he’n Alhamdulillah Teen Din ki mehnat ke baad Raahe Amal saaf ho gayi aur iske baad mene ye tay kar liya k baqi Sunnato per Amal karunga ,
⇨ Lihaza ye kaam Sochne ka nahi karne ka he ,Allah Ta’ala Aapko bhi aur Mujhe bhi is tareeqa kaar per Amal karne ki Tofeeq ataa farmaye , ( Aameen )
⇨ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat ka Samra ,::—
✪ Ye to maloom he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam hamari Muhabbat ke mohtaaj nahi he’n ,Hum Nakaara log Aap Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat kare na kare ,isse Aapki izzat v Azmat aur raf’at v Buzurgi me na kuchh izafa hoga aur na kami waqe hogi ,Wo to Kaaynaat ke Khaaliq ,Maalik ,Raazi aur Nizaam chalane wale Allah Ta’ala ke Habeeb he’n ,
⇨ isi per bas nahi balki unka maqaam v martaba to Rab Zuljilaal ke yaha itna Azeem aur Buland he k Jo unki itteba kare woh use bhi apna Mehboob bana leta he aur Uske Gunaah maaf farma deta he ,
✪ Maula e Kareem Khud irshad farmate he’n, ” Agar tum Waqai Allah Ta’ala se Muhabbat karte ho to meri pervi karo ,Agar Tumne ESA KIYA to Allah Ta’ala tumse Muhabbat karega aur Tumhari Khatao’n ko bakhsh Sega ,Wo bada bakhshne wala Meharban he ,”
⇨ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat ka Faayda Muhabbat karne wale ko hi Haasil hota he ,Wo Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat ki Vajah se Duniya v Akhirat me sarfaraaz v Sarbuland hota he ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Aur Unki Muhabbat -,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Jab Hajj ki Sa’adat Haasil karne ke liye tashreef le gaye ,Faragat ke baad Jab Madina Munavvara ki Taraf ravaangi hui to Kai meal door hi Gumbade Khizra per Nazar padhte hi Apne Joote utaar liye ,Halanki Waha se Rassta Nukile daar pattharo ke tukdo se bhara tha magar Aapke Zameer ne ye gawara na kiya k Dayare Habeeb me Joota pehan kar chala jaye ,Na maloom kis maqaam per Huzoor ﷺ per noor ke aqdaam pade ho aur meri kya majaal k me Joota pehan kar is maqaam per chalu ,
✪ Ek Martaba Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Sahab Gangoi Reh . ne Hazireen majlis se farmaya k Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Ko gulaab se zyada Muhabbat thi ,Jaante bhi ho kyu thi ?
Ek Sahab ne arz kiya k Hazrat ek Zaief Hadees me aaya he k Gulaab Janabe Rasulullah ﷺ ko ke Arqe Mubarak se bana hua he ,
Farmaya k haa’n , Hadees Zaief he magar he to Hadees ,
⇨ Kya ye ishq v Muhabbat ki ma’araaj nahi ? K gulaab ko Aap Hazrat ﷺ se ek talluq he ,isliye Hazrat ko Gulaab sabse zyada Mehboob he , Hadees ki Sahat aur Zof se is waqt bahas nahi ,batlana Sirf ye he k Hazrat Nanotvi Reh. Ko Huzoor ﷺ se kis qadar Aqeedat v Muhabbat thi ,
✪ Hazrat Nanotvi Reh. Ko Rasulullah ﷺ ke saath Qalbi talluq kitna tha aur Aap ﷺ ke naam Mubarak ki unke Dil me kis qadar Azmat thi ,iska andaza Kijiye k Janabe Rasulullah ﷺ ka Mubarak isme giraami Sun kar larza badan me pad jata tha aur Chehra ka rang mutagayyar ho jata tha aur ek Ajeeb haalat numaya hoti thi Jo kisi ke bayan me nahi aa sakti ,
✪ Hazrat Nanotvi Reh. Rasulullah ﷺ per Darood v Salaam ki khud bhi kasrat farmate the aur Apne Muataqqadeen v Mutavalleen ko bhi iski nasihat v Vasiyat farmate the,
⇨ Ek jagah likhte he’n k Darood Sharif ki jitni Kasrat ho sake utni behtar he ,
✪ Ek Aadmi Aapki khidmat me aaya ,Usne sabz Rang ka Joota pesh kiya to Hazrat ne joota to le liya lekin ghar me rakh diya ,kisi ne baad me puchha ,
Hazrat Fala ne Aapko bahut Achchha joota diya tha ,ilaaqe me aksar log pehan te he’n ,Khoobsurat bhi bana hua tha ,
Farmaya – Maine Joota le to liya tha k uski dil joi ho jaye magar Pehan isliye nahi k Dil me socha k mere Aaqa Rasulullah ﷺ ke Roza e Aqdas ka Rang Sabz he ,ab me apne paanv me is Rang ka joota kese pehnu ,
✪ Aap Jab Haram Sharif tashreef le gaye to ek Aadmi ne dekha k Aap nange paanv Madina ki galiyo’n me chal rahe he’n aur Paanv ke Andar se khoob rishta chala ja raha he ,
Kisi ne puchha Hazrat Joota pehan lete ,
Farmaya – Pehan to leta lekin jab Maine socha k is dayaar me Aaqa Rasulullah ﷺ chala karte the ,To mere Dil ne gawara na kiya k Qasim iske ouper Jooto ke saath chalta fire ,
⇨ Allahu Akbar ! Kese Diwane aur Parvane the Rasulullah ﷺ ke ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Reh. Aur unki Muhabbat,- ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Reh. Faqeeh e Waqt the, Ek Aadmi Hajj se wapas aaya aur waha se Kuchh Kapda laya ,Usne Wo Kapda Hazrat ki khidmat me pesh kiya ,
⇰Hazrat ne Jab use liya to use chooma aur Apne Sar ke ouper rakh liya ,jese badi izzat wali koi cheez ho ,Talba ( Students) bethe hue the unhone arz kiya,
Hazrat ! Ye to fala Mulk ka bana hua Kapda he ,Madina ke log Khareed kar aage farokht karte he’n ,
Farmaya – mai Tasleem karta hu’n k ye Madina ka bana hua nahi he ,magar mai to is liye iski izzat karta hu’n k use Madine ki hawa lagi hui he ,
✪ Hazrat Gangohi Reh. Ka Sunnate Mustafa ke saath ishq is darje Kaamil tha k Aapko Arbi Mahino ke naam chhor kar Angrezi Mahino ke naamo ka istemal bhi gira’n guzarta tha ,
⇨ Maulana Muhammad Ismail Sahab Hazrat ki khidmat me ek Martaba tashreef farma the k Kisi Shakhs ne puchha k Aap Gawaliyar Kab jaoge ?
Unhone jawab diya k July ki fala Tareekh ko ,
Hazrat Gangohi Reh. ne tajjub se irshad farmaya k aur Maah tareekh nahi he Jo Angrezi Mahino ka istemal kiya jaye ,
✪ Ek Shakhs Aapki khidmat me aaya aur kehne laga k mera naam mere waliden ne Kaale rakha tha ,logo ne Muhammad Kaale kehna shuru kar diya ,Ab isi naam se Maroof hu’n ,Mera Ji chahta he k Koi mere naam ko Sahi kahe ,
Aapne farmaya k Tumhara naam ko sahi kehna bahut asaan he ,
Usne puchha – k kis tarah ,?
Farmaya – “_Har dam Naam Muhammad _ﷺ_ Kaale ,””
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ek Martaba Waaz ke dauran farmaya, mai Aapko kehta hu k Haq Ta’ala ne hi mujhe Wo yaqeen ataa farmaya tha k Ladko ke saath khela karta tha aur Juma ka waqt aa jata to Khel chhor kar Jata aur Ladko se keh deta k Maine apne Mamu se suna he k Rasulullah _ﷺ_ ne farmaya he k Teen Juma ko chhorne se Aadmi munafiq likha jata he ,Logo ko kehta hu’n k Aakhir musalman he’n ,Khuda aur Rasool per Yaqeen he ,Fir ese gaafil kyu he’n ?
⇰Jis farmane Rasulullah _ﷺ_per log bade ho kar gaflat barat te he’n gor farmaye k Hazrat Gangohi Reh. Bachpan me kitna khayal farmate the, aur kesa pukhta yaqeen Janabe Nabi Kareem _ﷺ_ ke Qaul per rakhte the,
⇨ Ye Haqeeqat he k jise Haq ta’ala apna banana chahe bachpan hi se uske asaar waaze hona shuru ho jate he,’n ,Yahi haal Hazrat ka tha aur isi ka Asar tha k Hazrat apne Khuddam v Mutavalleen ko itteba e Sunnat ki bahut takeed farmate the,
⇨ Ek khat me tehreer farmate he’n k ,Sabko mahaz Fazal Haq Ta’ala ko Jaan na chahiye aur Apne per Shukr aur Nadamat laazim he aur Ummeedvar Rehmat e haq Ta’ala ka rehna chahiye aur itteba e Sunnat ka bahut bahut khayal rahe ,
✪ Ek aur Maqaam per likhte he’n k ,itteba e Sunnat ka khayal har haal me peshe nazar rahe k iske barabar koi Amr Duniya me Raza e Haq Ta’ala ke waste nahi , isse zyada kya likhu is dastoor e Amal SE behtar koi aur Dastoor e Amal nahi paya ,
⇨ Hazrat Shekhul Hadees Maulana Zakariya Reh .farmate he’n k Hazrat Gangohi Reh. Ke Vasiyat naame me bahut zor se likha he k Apni Aal Aulaad sab Dosto k takeed karta hu k itteba e Sunnat ko bahut Zaroori jaan kar Shara ke muwafiq Amal kare ,Thodi mukhalfat ko bhi apna sakht dushman jaane ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Shekhul Islam Maulana Husain Ahmad Madni Reh. Aur unki Muhabbat,- ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Qari Miya”n Sahab Mudarris Madarsa Fateh puri Dehli likhte he’n k ,–
“_Tahajjud me Avval Do Raka’at mukhtasar padhta aur Uske baad Do raka’at taveel Jinme ded do paare qiraar farmate ,Tahajjud ki qiraat qadre jahar se ada farmate Paas betha hua Aadmi gor se sune to poori qiraat sun sake ,
Qiraat karte waqt is qadar khushu itna girya ,Seena Mubarak se ese kholte hue garam saans ,janabe Rasulullah _ﷺ_ ki Namaz ki kaifiyat Ahadees me zikr ki gayi he ,
⇰Aap _ﷺ_Namaz esi padha karte the k Aap _ﷺ_ke Andar se Rone ki Rone ki Vajah se haandi ke josh maarne ki awaaz ki tarah se awaaz aati thi , ”
✪ Wo manzar k Maine Apni Aankho SE dekha aur Kaano se Suna ,Tahajjud ki Namaz se Faarig ho kar Pehle Dua maangte fir musalle per Astagfaar karne ke liye beth jate , Tasbeeh haath me hoti ,Jeb me se Rumaal nikaal kar aage rakh lete ,Ugaal daan qareeb rakh liya karte ,us waqt Rone ka Jo manzar baar baar dekhne me aaya, Musalsal Aankho se Aansuo’n ki ladiya’n jaari Rumaal SE saaf karte jate ,aur Astagfaar Jhoom jhoom kar padhte jate ,
⇨ Kabhi kabhi kalmaat padhte ,Baaz Avqaat isi kurbo becheni ke Aalam me faarsi ya Urdu ka koi Sher padha karte , Fajar ki NAMAZ tak yahi mamool rehta ,
✪ Mufti Mehndi Hasan Sahab Tehreer farmate he’n k ,
“_ibaadat e khudavandi ka ye Zoq k Shadeed Marzi ki haalat me bhi Fajar me Tawale mufassal hi padha karte the ,
Sunnat ke ese Shaidai the k kamaak ko pahunche hue the ,Jin umoor ko Adna talluq bhi Rasulullah _ﷺ_se ho un per Amal karte the,
⇨ Duniya ko hairat hogi k Darul uloom ke Chaman me Keekar ka darakht lagwaya ,Logo ko khayal hua k is darakht se kya faayda ? Na isme fal na fool ,na khushnumai na Zeenat, fir kyu lagwaya ?
Tehqeeq se pata chala k Aap Hazrat _ﷺ_ ne Keekar ke darakht ke niche beth kar Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Bayt li thi Jo ” Bayte Rizwan ” ke naam se jaani jati he , Ye darakht uski Yaadgaar he ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Itteba e Sunnat Hi se Raza e Mustafa _ﷺ_,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Islaam ke farog me sabse zyada Ahmiyat jis cheez ko Haasil he wo Muhabbat e Rasool _ﷺ_hi he ,Wo muhabaan e Rasool _ﷺ_hi the Jo islaam ke paigam ko lekar kohe dasht me sargawa’n fira karte the ,isi Muhabbat ka kaishma tha jisne un logo ko sailabe Baatil ke muqable me diwaare Haq bana diya tha, isi Muhabbat ka jaadu tha Jo Qaisaro Kisra jesi Azeem taqato ke Sar chad kar bola ,
⇰Ye hubbe Mustafa _ﷺ_aur ishqe Mustafa _ﷺ_hi tha jisne maidane wafa me Husain bin Ali Raziyallahu Anhu ko Sabr ,Zaid Raz. Ko istaqlaal ,Bilaal Raz. V Suheb Raz. Ko Saabit qadmi ,Khalid bin Valeed Raz. Ko Shuja’at aur Tariq bin Ziyaad ko Avlul Azmi ataa ki thi , Ishqe Rasool _ﷺ_hi ne Arab ke Sehra Nasheeno ko Taaje Iraan aur Takhte Rom ka Maalik banaya tha ,Yahi Wo jazba tha jisne unhe zindgi ke har Maidan me kaamyabi ataa ki thi ,
✪ Lekin Ye Josh v Muhabbat aur Zoqe ishq hum logo ki tarah mahaz zabani daava nahi tha ,Aaj hum log he’n Jo sirf Zaban se ishq ke daave karte he’n aur is daave ke sile me apni Magfirat ka yaqeen khayal karte he’n, Goya k is daave se Ahkaam e ilaahi ki pabandi na Usva e Rasool _ﷺ_ka paas ,?
⇨Kya Yahi Muhabbat e Rasool _ﷺ_he k hum poori Zindgi ko lahu v lahab me guzaar de aur Deen ka khayal tak na aaye aur Apne is zabani Daave per khud ko Jannat ka haqdaar Tasavvur karne lage ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Mahaz Daava Daleel nahi ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Mahaz Zaban se Muhabbat ka Daava Muhabbat ki daleel nahi ban sakta he ,
⇰Koi Shagird agar zaban se ye Daava kare k Wo Apne ustaad ka Farmabardaar he ,uski bahut izzat karta he ,usse bepanaah Muhabba aur Aqeedat he ,uske hukm ko jaan se zyada Azeez rakhta he ,
⇨ Lekin doosri taraf Wo na Uske diye hue sabaq ko yaad karta he ,na claas me pabandi se haazir rehta he ,School ke waqt khel tamasha me ghoomta firta he ,Kitaab padhta he na fees deta he ,To fir uska ye Daava sarasar Jhoot he ,Fareb he ,Esa Talibe ilm apne imtihaan me shartiya nakaam hoga ,
⇨ Dar asal ye ek esa Tasavvur he Jo imaan ki kamzori ki vajah se paida hota he ,Jis Tarah isaaiyat me me ye Tasavvur paida ho gaya k Hazrat Eisa Alaihissalam ne apni UMMAT ki khatir apna khoob baha diya ,aur Magfirat aur gunaah maaf ke liye itna hi kaafi he k is Ummat me shaamil ho jaye ,
✪ Bilkul isi tarah ye Tasavvur hamare Zahan v fikr me bhi ghar kar chuka he ,Hamare Kuchh Khudgarz Naam parast Rehnuma is Tasavvur ko taqviyat de rahe he’n k Rasulullah _ﷺ_aur Buzurgane Deen se Muhabbat ka ye Naamo nihaad Daava hi hamari Magfirat ka zaamin he ,Kyuki hum Muhammad _ﷺ_ke Shaidaayi he’n ,Aashiqe Rasool _ﷺ_he’n aur Woh ” Rehmate Aalam ” he’n ,isliye Aap Hazrat _ﷺ_hamari Shafa’at farmayenge ,aur hamari Magfirat ho jayegi ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Ahakaam e Khuda vandi – itteba e Rasool _ﷺ_he ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ahkaame ilaahi ki pabandi aur itteba e Rasool _ﷺ_ke maamle per Agar gor kare to ye maamla hi kuchh aur he ,
Rasool e Kareem _ﷺ_ko visaal ke waqt Jab marz ki Vajah se ifaaqa hota he aur shiddat kam hoti to Pehle Namaz hi ka khayal aata he , isi haalat me uth te he’n aur Masjide Nabvi me jaa kar Namaz me shareeq ho jate he’n , Aur Sahaba Kiraam apne Mehboob ke bataye hue Raaste se ek lamha ke liye bhi gaafil nahi hote ,
✪ Buzurgane Deen aur Avliya Kiraam ka bhi yahi mamool raha he ,Hazrat Muinuddin Chishti Reh .marzul maut ki shiddat se be hosh he”n ,kabhi kabhi hosh aata he ,Magar jab Hosh aata he to Sirf do sawal karte he’n ,
Konsi Namaz ka waqt he ?
Kya maine Namaz ada kar li he ?
⇨ Agar ese buland paya Buzurg ke liye Ahkaam e Sharai se Rukhsat nahi to fir hum logo ke liye kese mumkin he ?
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Muhabbat ki Bulandiya’n ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Daayi E Islam _ﷺ_ ne jab Paigame Haq diya to unki Awaaz per labbek kehne wale chand Gulaam ,Kuchh Nav Umar Ladke ,Kuchh Aurte’n aur Kuchh Budhe the, Ek Yateem Be sahara Shakhs Naaddi aitbaar se dekha jaye to na koi taaqat v hukumat ,na maal v daulat ,Na Raies v Ameero ki imdaad ,13 saal ki musalsal koshish v Justju ke baad ek Mukhtasar si jama’at taiyaar hui ,Wo bhi maaddi tor per itni kamzor k Makka ke Shab v Roz un per Tang the ,Magar Asal cheez ye thi k ishq ki bulandiya’n asmaan ko chhoone wali thi ,
⇰Un per Aziyato takleefo ke pahaad tode jate magar Sachchi Muhabbat karne wale the unki Zaban se Uff tak na nikalti ,
⇨ Kabhi Jalti Ret per ghasita jata to kabhi lohe ki zire pehna kar chilchilati dhoop me khade kar diye jate ,Kabhi Chataai me lapet kar dhooni di jati ,to kabhi Angaaro per Lita diya jata he ,
⇨ Unke Mehboob _ﷺ_ka bhi ye haal he k kabhi unko Quresh ke sardaar zakhmi kar dete he’n ,To kabhi unki gardan me Chaadar daal kar aithte he’n to kabhi Sajde ki haalat me unki pusht per galazat rakh dete he’n, Jo unki himayat ka dam bharta he uska Social Boycott kar diya jata he ,
✪ Fir ek waqt esa aa pahunch ta he k Aap _ﷺ_ko Raat ki tareeki me Dushman se chhup kar Apne Azeez watan ko khair Abaad kehna padta he ,Watan se Senkdo meal pahunch Jane per bhi Dusman Unka puchha nahi chhor te he’n aur Allah ki is jama’at ko mita daalne ki bharpoor koshish karte he’n ,
⇨ Lekin unhe nahi maloom k Muhabbat e Rasool _ﷺ_ki Jo chingari unke seeno me poshida thi Wo Ab Shola ban chuki he ,aur Ye Dushman apni har mumkin koshish ke bavjood is jama’at ko na mita sake , iska paigaam Suraj ki Roshni ki tarah is Aalam ko munavvar karta chala gaya ,
. ✿_ﷺ_✿
֏☞ , Maktabe ishq KE Andaaz Niraale Dekhe ,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Aap _ﷺ_Kï takleefo ka khayal karke hi ye log Rote the ,Duniya Kï daulat aur Aisho Araam jab inki zindgi me aam hue to Wo sirf isi khayal se Rote the k Ye sab kuchh Rasulullah _ﷺ_ke zamane me mayassar na aaya ,
⇰Aap _ﷺ_ Jo Kï Roti bhi pet bhar kar na kha sake to fir hum ye umda gizae’n kyu khaye ? Rasulullah _ﷺ_ne chataai per lait kar zindgi basar Kï to hum araam dah Bistar kyu istemal kare ?
✪ Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu ko ek martaba Hazrat Mu’aviya Raziyallahu Anhu ne Khane per bulaya ,Aapne Jab Dastar khwan per kai tarah Kï qism KE Khane lagte dekhe to Foran khade ho gaye ,aur Farmaya k Rasulullah _ﷺ_KE zamane me ek saa fi hafta Khane wala ye umda gizae’n kha kar Apne us Khaleel ko kya moonh dikhayega ,
✪ Jin Shaidao’n ne Khud ko Rasulullah _ﷺ_ke qadmo per is tarah nisaar karne ka faisla kiya ,Unke muqaddar per Rashk karte hue Hazrat Maulana Abul Kalam Azaad ne in alfaz me unko Daade Tehseen Dï he ,
⇨ Kya hi Mubarak he’n Wo Dil Jinhone Apne ishq aur Muhabbat KE liye Rabbus Samawaati Wal Ardh KE Mehboob _ﷺ_ko chuna ,aur Kya hi Paak aur Mutahar he’n Wo Zabane jo Sayyadul Mursaleen v Rahmatul Aalameen Kï Madah v Sana me labrez hui ,,
Unhone Apne ishq v Muhabbat KE liye uski mehbubiyat ko dekha jise khud khuda be Apni chahato aur Muhabbato se mumtaz kiya ,aur Unki zabano ne uski Sana Kï ,Jiski Madah v Sana Khud khuda Kï zabaan ,Uske farishte aur Kaaynaat ki tamaam paak rooho’n aur Paak hastiyo’n Kï zaban had dam shareek hoti he’n ,”
. ✿_ﷺ_✿
✿صلى الله على محمدﷺ ✿
. ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿
⇲ Alhamdulillah ,,,,,,,,,, ,,,,,,
 Rasulullah Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 90
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ Talibe Dua ⊙
ⓖ Haqq Ka Daayi,
http://www.haqqkadaayi.com/?m=1#
Visit for Daily updates,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
❁✦❃
SHARE THIS:

Post a Comment

0 Comments