Qabr Ke Halaat

⚂⚂⚂.        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
         ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    *■ Q A B R - KE - H A L A A T ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qabr Mai Sawal Aur Jawab.-❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Bara bin Aazib Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Hum log Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Saath Ek Ansari Shakhs ke Janaze mai Qabristaan mai Haazir they , Abhi Qabr ki taiyaari mai Dayr thi , isliye Aap Sallallahu Alaihivasallam ek jagah tashreef farma ho gaye , Hum log bhi Aapke ird gird Beth gaye , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Daste Mubarak mai ek Lakdi thi Jisse Aap Zameen Kured rahe they , Fir Aapne Sar Mubarak uthaya aur Mukhatib ho kar Humse irshad farmaya :-
*"__ Ey Logo ! Allah Ta'ala se Azaabe Qabr se Panaah Chaaho _,"*
Do Teen martaba yahi Jumla irshad farmaya ,Fir farmaya k Jab Momin Bande Ka Duniya se rahlat aur Akhirat mai Haaziri Ka Waqt aata Hai to uske paas Asmaan se ese Farishte utarte hai'n Jinke Chehre Suraj Ki tarah chamakdaar Hote hai'n , Unke Paas Jannat Ka Kafan aur Jannat ki Khushbu hoti Hai , Ye Farishte uske saamne ta had Nazar ( Jaha'n Tak Nazar jati hai ) Bethe hai'n ,Fir Malkul Maut tashreef late hai'n aur Uske Sar ke paas Beth Kar farmate hai'n - Ey Mutma'in Rooh ! Chal Allah ki Magfirat aur Khush noodi ki taraf ,
❀__Fir Uski Rooh is tarah Sahulat Se nikal jati hai Jese mashkeeze Ka band kholne se Uska Paani ba Asaani nikal aata Hai , Chunache Malkul Maut uski Rooh ko Apne qabze mai Kar lete hai'n aur foran hi Saath mai aaye hue Farishte use le kar Jannat ke Kafan aur Khushbu mai Lapet dete hai'n, To usse A'ala tareen muahk ki Khushbu fail uthti hai , Fir Wo Farishte us Rooh ko le Kar chalte hai'n , To jab bhi Farishto ki kisi Jama'at per unka guzar hota Hai to wo poochhte hai'n k ye Kiski Pakiza Rooh hai ? Farishte Naam Ba Naam uska behtreen andaz mai ta'arruf karate hai'n , Yaha'n Tak k Ouper wale Asmaan Tak us Rooh ki mashalyat karte hai'n hattaki usko Saatve Asmaan Tak pahuncha Diya Jata Hai ,
❀__To Allah Ta'ala Farmata Hai k Mere is Bande Ka Naam " illiyeen " mai likh do , aur ise dobara Zameen ki taraf le jao Kyunki Maine ise Zameen hi se paida Kiya hai aur ise lota raha hu'n aur isi se Qayamat ke Roz dobara ise uthaunga ,
Fir uski Rooh uske Badan ki taraf lota di jati hai aur do Farishte uske Paas Haazir Hote hai'n aur use betha Kar usse Sawal Jawab karte hai'n - Tera Rabb Kon hai ,Wo Jawab deta Hai - Mera Rab Allah hai , fir Poochhte hai'n - Tera Deen Kya Hai  , Wo Jawab deta Hai - Mera Mazhab islam hai , Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf ishara Kar ke ( iski Soorat v Kaifiyat Allah hi ko maloom hai ) poochhte hai'n k Ye Kon hai'n ? To Wo Momin Jawab deta Hai Ye Allah ke Sachche Rasool hai'n ,
__ Fir Farishte poochhte hai'n - Tumhara ilm Kya hai ? To Momin jawab deta Hai -  Maine  Qur'ane Kareem padha hai aur us per imaan laya hu'n aur uski tasdeeq ki hai ,
❀__ Is Sawal v Jawab per Asmaan se nida aati hai k mere Bande ne Sach kaha , Lihaza iske liye Jannat ka farsh Bichha do aur ise Jannati Libaas pehna do aur iski Qabr mai Jannat Ka Darwaza khol do Taki Jannat ki Hawa aur Khushbu ise Haasil ho sake , aur iske liye iski Qabr Ta had Nazar Wasee Kar do ,
"__ Fir Us Momin ke paas ek Khoobsurat Shakhs Achchhe Libaas aur Umda Khushbu ke Saath Haazir ho Kar arz karta Hai k Basharat Angez Khush khabri qubool Karo , Yahi Wo Din hai Jiska Tumse Vaada kiya Jata tha ,Wo Momin use dekh Kar Poochhta hai k tum Kon ho ? Tumhara Chehra to khaye lane Wale Chehre ki tarah hai , To Wo Shakhs jawab deta Hai k Tera Nek Amal hu'n ( Qabr Ka ye Araam dekh Kar ) Momin Kehta hai k Ey Rab Qayamat qaa'im farma Taki Mai'n Jaldi Apne Maalo Daulat aur Ghar walo se mulaqaat Kar saku'n _,"
* Mafhoom- Musnad Ahmad - 4/ 287 , Sharah Sadr -93 ,*
   
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Tirmizi Sharif vagera ki Rivayat mai Hai k Jab Momin Banda Munkar Nakeer ke sawalaat Ka Sahi jawab deta hai to uske liye uski Qabr Sattar Haath Lambi chodi Kar di jati hai aur use Roshan Kar ke usse kaha Jata hai k - So ja , Wo Shakhs maare Khushi ke Jawab deta Hai k Mujhe mere Ghar walo ke paas to Jane do k Mai'n Unhe batau'n ( k Mai'n Kitne maze mai hu'n ) To Farishte Usse kehte hai'n k -
"__ Tu us Dulhan ki tarah so ja Jisko Sirf Wohi Shakhs Bedaar karta Hai Jo uske nazdeek uske Ghar walo mai Sabse Zyada pasandida hai ( Yani Shohar ) aur ( Qayamat Tak sota rahega ) jab Tak k Allah Ta'ala use uski Qayaam Gaah se dobara na uthaye _,"
* Tirmizi Shareef - 2/205 , Bayhiqi Fi Shoebul imaan Sharah Sadr -187 ,*

       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ki ek Rivayat Hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Qasam hai us zaat ki Jiske qabze mai Meri Jaan hai k Mayyat ko uski qabr mai rakh Diya Jata Hai to waapas Hote hue logo ke Jooto ki Awaaz khud sunta hai , Pas agar Wo Momin hota Hai to Namaz uske Sar ke paas khadi ho jati hai aur Zakaat daa'i taraf aur Roza Baa'i taraf aur Achchhe Kaam aur logo ke Saath Husne sulook uske saamne khada ho jata Hai, To agar Azaab Sar ki taraf se aata Hai to Namaz kehti hai Meri taraf se Jane Ka Raasta nahi hai , Daa'i taraf se aata Hai to Zakaat kehti hai k Meri taraf se Raasta band hai fir Baa'i taraf se aata Hai to Roza isi tarah jawab deta Hai ,Uske baad Saamne se aata Hai to Husne sulook uske aade aa Jata hai ,
Fir usse kaha Jata hai Beth jao , Chunache Wo Beth Jata hai aur Uske saamne Suraj is tarah pesh Kiya Jata hai Jese Wo guroob hone Wala ho to Farishte Usse kehte hai'n k Hum Jo Sawal karte hai'n uska jawab do , To Wo kehta hai k Mujhe chhodo mujhe Namaz padhne do , Farishte kehte hai'n k ye bhi ho jayega Pehle hamari Baat Ka jawab do , To Wo kehta hai Kya hai ? Kya poochhna chahte ho ? To Farishte kehte hai'n- is Shakhs ke bare mai Tumhara Kya khayal hai ? Yani Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se mutalliq ? Wo Momin Jawab deta Hai k Mai'n gawaahi deta hu'n k Wo Allah ke Sachche Rasool hai'n Jo hamare paas hamare rab ki taraf se waazeh dalaa'il le Kar tashreef laye Pas humne Aapki tasdeeq ki aur Aapki pervi ki , is jawab per Farishte khushkhabri sunate hai'n k tune Sach kaha ,Teri Zindgi is aqeede per guzri aur is per Teri Maut aayi aur in Sha Allah isi per Qayamat ke Din tujhe uthaya jayega , iske baad uske liye Qabr ko taa had Nazar Wasee Kar diya Jata hai,
Yahi Matlab hai Allah Ta'ala ke is irshad Ka - Allah Ta'ala imaan walo ko qaule Saabit per Saabit Qadmi ata farmata hai Duniya ki Zindgi mai aur Akhirat mai _, ( Surah Ibrahim -27 )
❀__ Iske Baad kaha Jata hai k iske saamne jahannan Ka darwaza kholo Chunache uske liye Jahannam Ka darwaza khol Kar use bataya jata Hai k dekh agar to nafarman hota to Tera thikana ye hota Jiski Bina per uski Khushi aur masarrat mai mazeed izafa ho jata Hai , fir kaha Jata hai k iske saamne Jannat Ka darwaza khol do , Chunache Jannat Ka darwaza khol Kar usko bataya jata Hai k ye hai Tumhara thikana aur Ni'amate Jo Allah ne Tumhare liye pehle se taiyaar Kar rakhi hai'n , Unhe dekh kar bhi uska Dil bashashat aur masarrat se ma'amoor ho jata Hai , Fir uska Badan to Mitti ke hawale Kar diya Jata hai aur uski Rooh ko Pakiza rooho mai Jinka muqaam Jannat ke darakhto mai basera karne walo hare Parindo ke andar hai ,Shamil Kar diya Jata hai,
* Ravaah Haakim ,Haasia Sharah Sadr -189 ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ 
           
*❥ Qabr mai Kaafir Munafiq Ka Badtareen Haal ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Jo Kaafir aur Munafiq Shakhs Marne ke qareeb hota Hai to uske paas Asmaan se Syaah Chehre wale Farishte Naazil Hote hai'n Jinke haath mai ( badbudaar ) Taat ke tukde Hote hai'n , Wo uske saamne ta hadde Nazar Beth Jate Hai'n, Fir Malakul Maut Tashreef laa Kar uske sarhane Beth Jate Hai'n Aur kehte hai'n :-
Ey Khabees Jaan ! Allah ke Azaab aur gusse ki taraf chal ,
❀__Ye Sun Kar uski Rooh Badan se idhar udhar bhaagti firti hai , Lihaza Malakul Maut uski Rooh ko Jism se is tarah Sakhti se nikaalte hai'n Jese beega hua Kabaab bhoonne ke liye Seekh per lapeta hua ho aur fir seekh zor se Kheench li jaye , Fir Malakul Maut us Rooh ko Apne haath mai lete hai'n aur foran hi Saath aaye hue Farishte use le Kar Taato mai Lapet dete hai'n aur un taato mai Esi badboo hoti Hai Jo Roo'e Zameen per payi Jane wali Murdaar Laash se foot ti hai ,
❀__ Fir Wo Farishte use le Kar Asmaan ki taraf chalte hai'n to Farishto ki jis Jama'at per se unka guzar hota hai Wo poochhte hai'n k ye Kon Khabees jaan hai ? To Saath wale Farishte Bure se bure alqaab aur Naamo se uska tarruf karate hai'n , Ye Farishte use le  Kar Asmaan ke darwaze Tak pahunch Jate hai'n aur darwaza khulwana chahte hai'n Magar darwaza Unke liye nahi khola Jata , Jesa k Allah Ta'ala Ka *(Surah Al-Araf, Aayat 40 mai)* irshad hai :-
*_ لَا تُفَتَّحُ لَهُمْ أَبْوَابُ السَّمَاءِ وَلَا يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ حَتَّىٰ يَلِجَ الْجَمَلُ فِي سَمِّ الْخِيَاطِ _,*
*"__ Na khole jayenge Unke liye darwaze Asmaan ke ,aur na dakhil honge Jannat mai yaha'n Tak k na ghus Jaye Ount Sooi ke naake Mai _,"*
_ Fir Allah Ta'ala irshad Farmata Hai k iska Naam " Kitaabe Sijjeen " mai likh Diya Jaye Jo Sabse nichli Zameen hai , Chunache uski Rooh wahi'n se faink di jati hai, iske baad Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ye *( Surah Al-Hajj, Aayat 31)* Aayat Tilawat farmayi :-
*_ يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَكَأَنَّمَا خَرَّ مِنَ السَّمَاءِ فَتَخْطَفُهُ الطَّيْرُ أَوْ تَهْوِي بِهِ الرِّيحُ فِي مَكَانٍ سَحِيقٍ _,*
*"__ Aur Jisne Shareek banaya Allah ka so Jese gir pada Asmaan se , fir uchakte hai'n usko udne wale Murdaar khor ya ja daala usko Hawa ne kisi door makaan mai _,*
❀__ iske baad uski Rooh uske Jism mai lota di jati hai aur Do Farishte uske Paas aa kar use bitha Kar Poochhte hai'n, Tera Rab Kon hai ? Wo Kehta hai - Haay Haay mujhe pata nahi , fir usse daryaft karte hai'n k Tera Deen Kya Hai ? Wo fir yahi Kehta hai , Haay Haay mujhe khabar nahi , Fir Farishte poochhte hai'n k ye Shakhs kon hai ? Jo Tere paas bheja gaya Tha ( Yani Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ) To Wo jawab deta Hai- Haay Haay mujhe ilm nahi , is per Asmaan se awaaz aati hai k ye Mera Banda Jhoota hai ( ise Sab pata hai Magar la ilmi zaahir kar raha hai ) , Lihaza uske niche Aag Ke angaare Bichha do aur iske liye Dozakh Ka darwaza khol do, Chunache Dozakh Ka darwaza khol diya Jata hai aur uski Sakht tapish aur Lo aane lagti hai ,
❀__ Aur us per Qabr is qadar Tang Kar di jati hai k uski Pasliya'n Tak bheench kar idhar udhar chali jati hai'n aur fir uske Paas ek Shakhs aata Hai Jo intehayi badSoorat , badbudaar aur gande Kapdo mai hota Hai , Wo Shakhs us Munafiq se Kehta hai k buri khabar sun le ,Yahi Wo din hai Jisse tujhe daraya Jata tha, Wo Kehta hai Kon hai Tu ? Teri Soorat waqa'i buri  khabar sunane wale ke maanind hai , Wo jawab deta Hai k Tera Bura Amal hu'n , Ye Sun Kar ( is dar se k Qayamat mai mazeed azaab hoga ) Wo Kaafir ye Kehta hai- Ey Rab ! Qayamat qaa'im na farma ,
* Musnad Ahmàd - 4/ 287 , ibne Abi Shiba -3/58 ,Sharah Sadr-93 ,*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀___ Aur Ek Rivayat mai Hai k Kaafir Munafiq ke ird gird khatarnaak zehrile saanp Chhod diye Jate hai'n Jo barabar use kaat te aur Daste rehte hai'n aur Jab Wo cheekhta hai to Lohe ya Aag Ke Hathode se uski pitayi ki jati hai _,"
* Ibne Abi Shiba- 3 / 56 ,*
❀__ Aur us per Musallat hone wale Saanp Bichchhu itne khatarnaak Hote hai'n k agar in me se koi Roo'e Zameen per Ek Bhoonk maar de to Qayamat Tak Zameen mai koi sabza na paida ho sake ,"
Baaz rivayato mai in Azdaho ( Saanpo ) ki tadaad 99 waarid hai ,aur in me har Azdaha Saat Siro Wala hai _,"
* Majma'uz Zawa'id - 3/ 55 ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qabr Mai Kya Saath Jayega -❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qabr mai Sirf insaan Ka Amal jayega , Duniyavi Raahat v Araam Qabr ki Zindgi mai Kaam nahi aa Sakta ,Jis tarah Aadmi Jab doosre Mulk ke Safar per Jata hai to waha'n ki Karansi aur Waha'n chalne wale Not aur Rupiyo Ka intezam zaroori hota Hai , Isi tarah aalame Barzakh aur Aalame Akhirat mai Jane se pehle Waha'n chalne wali Karansi ko Haasil Karna Laazim hai aur Waha'n ki Karansi imaane Kaamil aur Amale Saaleh hai ,agar ye Daulat Paas hai to Safare Akhirat ke har mod per Qabr Ka marhala ho ya Baad Ka Araam hi Araam naseeb hoga ,
❀__Aur agar imaan aur Amal Saaleh Ka sarmaya paas nahi hai to fir mehroomi hi mehroomi hai , isiliye Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k "_ Sabse Aqalmand Wo Aadmi hai Jo Apne Nafs Ka muhasba karta rahe aur Marne ke Baad wali Zindgi ke liye Amal karta rahe ," Waaqa'i Aqalmandi Ka taqaza yahi hai k Duniya ki mehdood aur aarzi Zindgi mai Ji lagane ke bajaye Akhirat ki Hamesha Hamesha ki  daaymi Zindgi ko banane per mukammal Mehnat ki Jaye ,
❀__Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Mayyat ke Saath Teen tarah ki cheeze jati hai'n Jinme se do Laut aati hai'n aur Ek Saath Reh jati hai, Mayyat ke Saath uske Ghar wale aur Uska Maal aur Uska Amal Jata hai , Uske Ghar wale aur Maal to Laut aate hai'n aur Amal uske Saath Reh Jata hai _,"
* Bukhari Sharif- 2/964, Muslim Sharif - 2/ 407 , Tirmizi Sharif -2/60 -*   
❀__Kitna hi Azeez ho use Qabristaan mai Charo na Chaar Chhod Kar aana Padta Hai aur Maal bhi Qabr mai nahi rakha Jata aur usse koi nafa milta hai balki Aankhe band Hote hi Maal khud ba khud waaris ki milkiyat mai Chala Jata hai, Lekin Amal esa Pakka aur Wafadaar Saathi hai Jo Duniya mai bhi Saath rehta Hai aur Qabr mai bhi Saath rehta Hai aur Maidane Mehshar mai bhi Saath rahega aur Apne Aamil ko Asal thikane Jannat ya Jahannam Tak pahuncha Kar dam lega , Lihaza abhi Waqt hai , Achchhe Amal se Dosti Kare Taki Wo Achchhe muqaam Tak pahuncha de ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Ye Badan Sad Gal Jayega ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Insaan Ka ye Badan Mitti se bana hai aur Mitti hi mai mil jayega, Qabr mai Ja Kar Khoobsurat Aankhe Jinhe Surma aur Kaajal se sanwara Jata hai aur Ye Baal aur Rukhsaar Jinhe Haseen v Jameel banane ki koshish ki jati hai aur Ye Pet Jiski Bhook mitane ke liye har tarah ke jatan kiye jate hai'n Yahi Aankhe footengi aur Unka Paani Chehre ke rukhsaro per beh padega , Baal khud ba khud gal Kar toot jayenge , Pet badbudaar ho Kar Fat padega. Qabr ke Keede is Mitti ke Badan ko Apni giza bana lenge , is Haalat ki insaan Duniya mai bhoole betha hai Magar ye haalat pesh aa Kar rahegi , iski taraf mutavajjah karne ke liye ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Rozana Qabr Faseeh v Baleeg Zubaan mai barbala ye Elaan karti Hai k Ey Aadam ki Aulaad ! Tu mujhe kese Bhool gaya ? Kya Tujhe maloom nahi k Mai'n Tanhayi Ka ghar hu'n , Mai'n Musafrat ki jagah hu'n ,Mera muqaam Wahshatnaak hai ? Aur Mai'n Keedo Ka Ghar hu'n aur Mai'n Tang Jagah hu'n Sivaye us Shakhs ke liye Jis per Allah Ta'ala mujhe Wasee farma de ,
Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Qabr ya to Jahannam Ke Gadho mai se ek Gadha hai , Ya Jannat ki Fulwaariyo'n mai se ek Fulwaari hai _,"
* Majma'uz Zawa'id - 3/ 46 ,Sharah Sadr -165 ,*
❀__ Lihaza Allah Ta'ala se Sharmo Haya Ka Taqaza Bayan karte hue Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,"_Apni Maut aur Badan ki Poseedgi ko Yaad rakhe _," isse Fikre Akhirat paida hogi aur Gunaaho se bachne Ka da'iya ubhar Kar saamne aayega ,
       ─━━━════●■●════━━━─
*❥ Wo Khush Naseeb Jinka Badan Mehfooz rahega ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Allah Ta'ala Apne Baaz Nek Bando ke aizaaz mai Apni be Misaal qudrat Ka is tarah bhi izhaar Farmata Hai k un Nek Bando ke Jismo ko Saalha Saal guzarne ke bavjood Zameen mai Jo Ka Tyo mehfooz farma dete hai'n , aur Zameen in Pakiza Badano ko fana karne se Aajiz rehti hai , Un Khush Naseeb Shakhsiyat mai Sabse Pehla darja Hazraate Ambiya Alaihissalam Ka hai ,
❀__ Chunache Khud Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Beshak Allah Ta'ala ne Zameen per Ambiya Alaihissalam ke Paak Badano ko Haraam Kar Diya hai _,"
*( Abu Daowd - 1/150 )*
"__ isi Bina per Ahle Sunnat Wal Jama'at Ka Aqeeda hai k Tamaam Ambiya Alaihissalam ke Jism Mubarak Apni Apni Qabro mai bila kisi tagayyur ke mojood hai'n aur unko ek Khaas qism ki Hayaat e Barzakhi haasil hai ,
❀__ Aur Baaz Shohda e islam ke bare mai Mushahide se ye Baat Saabit hai k Unke Jism bhi Dafan ke Saalha Saal Baad bhi Sahi Saalim paye gaye , ( Agarche Shaheed ke Saath esa hona Laazim nahi , Kyunki Shaheed ko Jo Khaas Hayaate Barzakhi haasil hai Uske Liye yahi Badan mojood hona Laazim nahi ) _,"
* Mustfa v Roohul Ma'ani - 2/21 ,*

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Abdullah bin Taamir Reh .Ka Waqi'a ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Abdullah bin Taamir Reh.Jinhone Zaalim Badshah ke saamne izhare Haq kiya aur Fir Unhe Bismillaah padh Kar Teer maara gaya Jisse Wo Shaheed ho gaye aur Unke Maanne walo ko Badshah ne Aag ki Khandaqe Khudwa Kar Unme Jala daala ,Jiska Zikr Surah Burooj mai hai ,Unke bare mai Tirmizi Sharif ki Rivayat mai Hai k Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu Ke daure khilafat mai Abdullah bin Taamir ki Qabr kisi tarah khul gayi to dekha gaya k Unki Laash Sahi Saalim hai aur Unka haath ba dastoor kanpati per is tarah rakha hua hai Jese Shahadat ke Waqt hoga ,
* Tirmizi Sharif - 2/ 172 ,*
*❥ Qabr per Khushbudaar Roshni ❥*
❀__ Abdullah bin Gaalib bade Buzurg guzre hai'n ,Unki Qabr se Mushk ki Khushbu aati thi , Maalik bin Dinaar Reh. Kehte hai'n k Mai'ne Unki qabr per ja Kar Jo Mitti utha Kar Soonghi to Woh bilkul Mushk ki tarah thi ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Abdullah bin Taamir Reh .Ka Waqi'a ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Abdullah bin Taamir Reh.Jinhone Zaalim Badshah ke saamne izhare Haq kiya aur Fir Unhe Bismillaah padh Kar Teer maara gaya Jisse Wo Shaheed ho gaye aur Unke Maanne walo ko Badshah ne Aag ki Khandaqe Khudwa Kar Unme Jala daala ,Jiska Zikr Surah Burooj mai hai ,Unke bare mai Tirmizi Sharif ki Rivayat mai Hai k Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu Ke daure khilafat mai Abdullah bin Taamir ki Qabr kisi tarah khul gayi to dekha gaya k Unki Laash Sahi Saalim hai aur Unka haath ba dastoor kanpati per is tarah rakha hua hai Jese Shahadat ke Waqt hoga ,
* Tirmizi Sharif - 2/ 172 ,*
*❥ Qabr per Khushbudaar Roshni ❥*
❀__ Abdullah bin Gaalib bade Buzurg guzre hai'n ,Unki Qabr se Mushk ki Khushbu aati thi , Maalik bin Dinaar Reh. Kehte hai'n k Mai'ne Unki qabr per ja Kar Jo Mitti utha Kar Soonghi to Woh bilkul Mushk ki tarah thi ,
❀__ Abu Muhammad Abdullah Al Bakri Reh.farmate hai'n k Mai'n Basrah mai sahabi e Rasool Hazrat Zuber bin Awaam Raziyallahu Anhu ki Qabr per Haazir hua to Achanak mere Badan per Gulaab ke Arq Ka chhidkaav hua Jisse mere Kapde Tar ho gaye _,"
❀__ Aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se marvi hai k Jab Saleh Badshah Najaashi Ka inteqal ho gaya to logo mai ye Baat Mash'hoor thi k Unki Qabr per Roshni Nazar aayi hai _,"
* Kitaabul Aaqbah - 1/ 130,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Gazwa E Uhad Ke Shohda Ka Haal ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Mai'ne Apne waalid Maajid Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ( Jo Gazwa E Uhad mai Shaheed ho gaye they ) Ki qabr Mubarak kisi zarurat se Chhe ( 6 ) Mahine ke Baad khol kar Aapki Na'ash Waha'n se muntaqil ki to usme bilkul koi tabdeeli na Hui thi , Pas Chand Baal Mitti Aalood ho gaye They _,"
❀__ Uhad mai Shaheed hone wale Do Ansari Sahaba Hazrat Amru bin Aljoh aur Hazrat Abdullah bin Amru bin Haraam Raziyallahu Anhum ko ek hi Qabristaan mai Dafan Kiya gaya Tha , Ek dafa 39 saal ke Baad Madina Munawwara mai Sailaab aaya Jisse in Hazraat ki Qabr Mubarak khul gayi , Chunache Logo ne in dono ki Na'ash Waha'n se muntaqil karne ki kaarwa'i ki to Log ye dekh Kar dang reh gaye k Unke Jism mai zarra barabar bhi tagayyur na hua tha aur esa Mehsoos Hota tha goya Wo Kal hi Shaheed hue ho aur unme se ek ne Apna Haath zakhm per rakha hua tha ,Jab use hataane ki koshish ki gayi to wo dobara Apni jagah Chala gaya Jesa k pehle Tha _,"
❀__ Digar Shohda ke Saath bhi is tarah ke Waqi'aat Saabit hai'n ,Allama Sayuti Reh. Ibne Jozi ki Tareekh se Naqal karte hai'n k ek martaba Basra mai ek Teele se 7 Qabre zaahir ho gayi , Unme 7 laashe thi ,Sabke Jism Sahi Saalim they aur Unke Kafano se Mushk ki Khushbu foot rahi thi , Unme se ek Shakhs Jawaan tha Jiske Baalo mai zulfe'n thi aur Uske Honto per Esi taazgi thi Goya abhi Pani piya ho aur uski Aankhe Surma Alood thi aur uski kokh mai zakhm Ka nishan tha , Baaz logo ne uske Baal ukhedne Chahe Magar Wo ese hi Mazboot they Jese zinda Shakhs ke Hote hai'n ,
* Sharah Sadr - 268 _,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qabr Mai Raahat V Azaab Bar-Haq Hai ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ahadees se you Baat poori tarah Saabit hai k Qabr Ki Raahat v Azaab Bar-Haq Hai aur ye esa Gaibi Aqeeda hai Jis per Yaqeen karne ke liye Aqal Ka Sahara lena besood hai , Kyunki iska Talluq Duniyavi Zindgi see hai hi nahi , Ye Barzakhi Zindgi Ka Maamla hai , Jiski Asal Haqeeqat Tak hamari naaqis Aqal rasaa'i haasil nahi Kar sakti , Lihaza jis tarah Qur'an v Sunnat ke batane se Qayamat, Akhirat, Jannat aur Jahannam per Yaqeen rakhte hai'n, Usi Tarah Qabr ke Halaat ke mutalliq bhi Hume Wahih muqaddas ki malumaat per Kaamil Yaqeen rakhna chahiye ,
❀__Baaz bad Deen Qism ke log Qabr ke Halaat per tarah tarah ke ishkalaat karte hai'n, Maslan kehte hai'n k agar hum Qabr ko khol Kar dekhe to Hume to Farishte Nazar nahi aate aur na Momin ki Qabr wasi maloom hoti Hai balki uski lambayi chodayi utni hi hoti Hai Jitni Dafan ke want thi ,vagera vagera , Lihaza Kese Sahi ho Sakta Hai k un per azaab aur Raahat Ka asar zaahir ho ?
"__ Iska Jawab ye hai k Allah ki qudrat kamila se Hargiz ba'ied nahi hai k Wo hamari nazro se chhipa Kar Mayyat ke Badan ko aur Rooh ko Raahat ya Azaab mai mubtila Kar de , Iski Misaal Esi hai Jese Do Sone wale Shakhs Sone ki haalat mai Unme se ek takleef Mehsoos Kare aur Doosra masarrat Wala khwaab dekhe , To jaagne wale ko kuchh pata nahi chal paata k ye Sone wale Kin Halaat se guzar rahe hai'n , isi tarah Mayyat per Jo Halaat taari Hote hai'n zinda insaano ko Aam Tor per uska kuchh pata nahi chal paata ,
❀__Aur Ye Allah Ta'ala ki Azeem Hikmat per mubni hai Kyunki agar is tarah Zindgi mai logo ko Qabr Ka azaab dikha Diya Jata to log Apne Murdo'n ko dafan Karna Chhod dete , isi Bina Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- Agar mujhe ye khatra na hota k tum log Dafan Karna Chhod doge to Mai'n Allah Ta'ala se ye Dua karta k Tumhe Qabr ke Halaat per matla farma de _," *( Muslim Sharif - 2/ 386 )*   
❀__ isi tarah Jin Murdo'n ke Badan ba zaahir Mutafarrik ho chuke Maslan Jala Kar Raakh Kar diye gaye ya Unhe Parindo aur Darindo ne kha liya , Un per bhi azaab v Raahat jaari hone mai koi istb'aad nahi hai isliye k Allah Ta'ala Jo un Jismo ko qayamat ke Din dobara zinda karne per qaadir hai Usi Tarah use is per bhi poori qudrat hai k Wo in Jismo ke Tamaam Ajza ya Baaz Ajza ko Zindgi de Kar unko Azaab ya Raahat mai mubtila Kar de ,
❀__Algarz Ahle Qabr ke Halaat Ka Talluq Barzakh ki Zindgi se hai , Use Duniya ki Zindgi per qayaas nahi Kiya ja sakta aur agar is bare mai Qur'an v Sunnat ki Waazeh hidayaat hamare saamne na hoti to Hume in Halaat Ka kuchh bhi ilm na ho paata , Isliye Aafiyat aur insaaf Ka Raasta yahi hai k Saadiq v Ameen Paigambar Alayhissalatu Wassalaam ke irshadaate Aaliya per Kaamil Yaqeen rakhte hue Barzakhi Halaat per imaan laya Jaye aur iske mutalliq kisi Qism Ka Shak ya Shuba zahan mai na rakha Jaye ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Azaabe Qabr Se Panaah ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k Ek Yahoodi Aurat ne Unke paas aa kar Dua di k Allah Tumhe Qabr ke Azaab se bachaye , Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam Ghar mai tashreef laye to Maine Aapse Azaabe Qabr ke mutalliq Sawal Kiya to Aapne irshad farmaya:- Ji Haa'n Qabr Ka Azaab Bar-Haq Hai , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k uske Baad Aap Sallallahu Alaihivasallam jab bhi Namaz padhte to uske baad Qabr ke Azaab se Panaah Maangte they _,"
* Bukhari Sharif- 1/ 183,*
❀__ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ye Dua maanga karte they :- Ey Allah ! Mai'n Qabr ke Azaab se Panaah chahta hu'n aur Jahannam Ke Azaab se aur Zindgi aur Maut ke Fitne se aur Dajjaal ke Fitne se bhi Panaah chahta hu'n _,"
* Bukhari Sharif- 1/ 184 ,*
❀__ Ek Martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam Sawaari per tashreef le ja rahe they, Raaste mai Aapka guzar Mushrikeen ki Chand Qabro per hua ,To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Ye Log Azaabe Qabr mai mubtila hai'n ,pas agar ye Baat na hoti k tum log Dafan Karna Chhod do to Mai'n Allah Ta'ala se Dua karta k Wo Tumhe bhi isi tarah Azaabe Qabr ki Awaaz Suna de Jese Mai'n sun raha hu'n _,"
fir Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki taraf mutavajjah hue aur unko Azaab e Qabr,Azaabe Jahannam,Shuroor v Fitan aur Dajjaal ke Fitne se Panaah Maangne ki Talqeen farmayi ,
* Muslim Sharif - 2/ 386 ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Jaanwar Bhi Azaabe Qabr Sunte Hai'n ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ahadees v Aasaar se ye maloom hota Hai k Qabr ke Halaat aur Azaab vagera ki Awaaz Agarche insaan v Jinnaat se Poshida rehti Hai'n Lekin Digar Jaanwar in awaazo ko Sunte Hai'n , Chunache Bukhari Sharif ki Rivayat mai Hai k -
"__Jab Munafiq aur Kaafir se Qabr mai Sawal hota Hai aur Wo Sahi jawab nahi de paata to Farishte usko Lohe ke Hathode se itni zor se maarte hai'n k Wo be akhtyar cheekh uthta hai aur uski cheekh ki Awaaz insaan aur Jinnaat ke alawa Jo jaandaar bhi uske qareeb Hote hai'n Sab Sunte Hai'n,
❀__Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai k - Beshak Qabr wall ko Unki Qabro mai Azaab hota Hai Jisko Jaanwar Sunte Hai'n _,"
*__ Bukhari Sharif- 2/ 249 _,*
❀__ Abul Hakam ibne Barkhan ,Spain Ka ek Waqi'a Bayan karte hai'n k Logo ne Qabristaan mai ek murde ko dafan Kiya ,Fir Wahi qareeb Beth Kar baate karne lage ,Ek Jaanwar qareeb hi ghaas char raha tha , Wo Qabr ke qareeb aaya aur Kaan khade Kar ke kuchh Sunne laga aur fir door Chala gaya, Kuchh der Baad fir Qabr ke qareeb aa kar Sunne laga, Kai martaba usne ye harkat ki , Abul Hakam kehte hai'n k ye Waqi'a sun Kar mujhe Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye irshad Yaad aa gaya k Qabr ke Azaab ko Jaanwar Tak bhi Sunte Hai'n ,
*_ Kitaabul Roohul ibne Qayyim Urdu /110 ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Kin Logo'n Se Qabr Mai  Sawal Jawaab Nahi Hota ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Sahih Ahadees se ye Baat bhi Saabit hai k Baaz Soorato mai Marne Wala insaan Qabr ke Sawaal v Jawaab aur Fitno se khud ba khud mehfooz rehta Hai , Ye Sahulat aur rukhsat teen tarah ke Asbaab se mutalliq hoti Hai -
"___ 1 _ Baaz A'amaale Saaleh
"___2 _ Kisi Aafat Ya Bimaari Ke Saath Maut ,
"___3 _ Baaz Khaas Awqaat mai Maut Ka Waaq'a hona ,
*❀__1_ Pehla Sabab Yani A'amaale Saaleh _,*
*_ ( Alif ) - Shahadat Fi Sabilillaah _,* Jo Shakhs Kalmatullah ke liye Shaheed ho gaya Qabr ke Fitno se Mehfooz rakha Jata hai ,
*_( Ba )- Sarhado Ki Hifazat Karna _,* _ islami Sarhado ki hifazat Jiski vajah se Darul Islam mai rehne wale logo ko Aman v Aafiyat Naseeb hota Hai, Allah Ta'ala ki nazar mai nihayat Azeemusshaan Amal hai ,Lihaza Jo Shakhs isi Haal mai hifazat karta hua wafaat pa Jaye usko Qabro ke fitno se aur Sawal v Jawab se Mehfooz Kar diya Jata hai , iske mutalliq Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai -
"__ Ek Din ek Raat Sarhad ki hifazat Karna Poore Mahine ke Roze aur Raat bhar ibaadat karne ke barabar hai Aur agar is Haal mai uski Maut aa Jaye to Jo Amal Wo Kar raha tha Uska sawab barabar Jaari rahega aur uske liye barabar Rizq Ka intezam Kiya jayega aur Use Qabr ke Sawaal karne wale Farishto se aur Waha'n ke Fitno se mehfooz rakha jayega _," *( Muslim Sharif - 2/ 142)*
*__( Jeem )_ Surah Mulk aur Surah Hameem Sajdah Ka Paabandi se padhna_,* _ Baaz Rivayaat se Saabit hai k Jo Shakhs Sone se pehle Surah Mulk aur Surah Hameem Sajdah Paabandi se padhe to use bhi Qabr ke Sawaal v Jawaab se mehfooz rakha Jata Hai _," *( Sharah Sadr - 207 )*
   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qabr Ke Sawal v Jawab se Mehfooz rehna -Doosra Sabab -  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qabr ke Sawaal v Jawaab aur Fitno se Mehfooz rehne Ka Doosra Sabab Yani Maut ki illat ke silsile mai Ek Rivayat ye milti hai k Jo Shakhs Pet ki kisi Bimaari mai inteqal Kar Jaye to wo bhi Qabr ke Fitno se Mehfooz rahega , Magar iske mutalliq muhaddiseen ye farmate hai'n k iske Raavi ko Galat fehmi ho gayi hai k Hadees Asal mai murabat ( Sarhad per hifazat karne wala ) ke bare mai hai Jise Raavi ne mareez ke mutalliq Kar diya _," *( Sharah Sadr -207 )*
❀__ Aur Hafiz ibne Hajar Reh. ne marz e ta'oun mai wafaat pane wale ke mutalliq bhi ye Baat likhi hai k use Qabr ke Fitno se Mehfooz rakha jayega , Jis tarah Sarhad per hifazat karne wala Sabr v isteqamat ke Saath Apni jagah data rehta Hai Usi Tarah Ta'oun mai mubtila Shakhs bhi Allah per Tawakkul karta Hai , is mushabhat ki vajah se wo bhi Fitne se mehfooz rahega _," *( Sharah Sadr -208 )* 
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qabr Ke Sawal v Jawab se Mehfooz rehna -Teesra Sabab -  ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Teesre Sabab KE Tor per Ahadees Sharifa se teen tarah ke Awqaat Saabit hai'n :-
"__1_ Jo Shakhs Jume ke Din ya Raat mai wafaat Kar Jaye usko bhi Qabr ke Fitno se Mehfooz rehne ki Basharat di gayi hai , Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :-
"__ Jo Musalman Shakhs Jume ke Din ya uski Raat mai inteqal Kar Jaye to Allah Ta'ala usko Qabr ke Fitno se Mehfooz rakhta Hai _," *( Tirmizi Sharif- 1/205 )*
❀__ Baaz Za'ief Rivayaat se ye bhi maloom hota Hai k Ramzanul Mubarak mai Marne Walo se Qabr ka Azaab hata liya Jata Hai  , *( Sharah Sadr v Bayhiqi - Wallahu A'alam)* ,
"__ Aur Allama Qurtubi Reh. ne ek Rivayat is mazmoon ki Naqal farmayi hai k Jis Shakhs ki Maut Ramzan ke khatm per ya Arfe ke waqoof ke Baad ya Apni Zakaat ki Adaygi ke Baad aaye Wo Jannat mai dakhil hoga _," *( Al Tazkirah - 173 )*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Azaabe Qabr Se Nijaat Kese ?.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Khaas Awqaat mai wafaat to insaan Ke akhtyar mai nahi Lekin Wo akhtyari A'amaale Saaleh Jinko Ahadees mai Azaabe Qabr Se bachane wale qaraar diye hai'n unko akhtyar karne ki koshish har ek Musalman ko karni Laazim hai , Dar Haqeeqat Tamaam hi A'amaal Saleha Apni Apni jagah Azaabe Qabr Se bachane Ka zariya hai'n ,
"_ Bahut si Rivayat is per daal hai'n k Marne ke Baad insaan me A'amaal Saleha use Charo taraf se ghair lete hai'n aur jidhar se bhi Azaab aane ki koshish karta Hai to wo azaab se Rukawat ban Jate hai'n ,
❀__Neez Khusoosi Tor per Surah Mulk Ka har Raat ko padhna Azaabe Qabr Se bachane mai intehayi mossir Amal hai , Hadees mai Hai k ye Soorat Apne padhne wale ke liye Azaab se bachane ki Sifarish karti Hai aur iski Sifarish qubool ki jati hai ,
❀__Aur isi tarah ki Fazilat Surah Hameem Sajdah ke bare mai bhi waarid hai , Aur Surah Jilzaal Jume ki Raat mai Magrib ke Baad do Raka'at Namaz mai is tarah padhna k har Raka'at mai 15 martaba ye Soorat padhi Jaye , is Amal ko bhi Azaabe Qabr Se bachane Ka mojib qaraar diya gaya Hai _," *( Sharah Sadr -254se 256)* 
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
 *❥ Azaabe Qabr Ke Ummomi Asbaab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ahadees Sharifa mai Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne un Asbaab aur ma'asi ki nishandehi farma di hai , Jinse aksar insaan Azaabe Qabr Ka mustahiq ban Jata hai ,
❀__Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka guzar do Qabro per hua ,Jinhe dekh Kar Aapne irshad farmaya k in dono Qabr walo love azaab ho raha hai , aur kisi bade gunaah mai azaab nahi ho raha hai ( Yani jise tum bada samajhte ho ) Unme ek Chugli karta Tha aur Doosra Shakhs Peshaab se Mehfooz nahi rehta tha ,
Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek taro taza ( darakht ki ) Shaakh mangwayi aur Uske do tukde Kar ke ek ek tukda har qabr per gaad diya  aur irshad farmaya k Ummeed hai k inke khushk hone Tak in dono se azaab mai takhfeef Kar di jayegi _,"
* Bukhari Sharif- 1/184 , Muslim Sharif - 1/141,*
❀__ Is Hadees mai Jo Azaabe Qabr Ke Asbaab Bayan kiye gaye hai'n Unke mutalliq sanjeedgi se goro fikr karne ki zarurat hai , Afsos ki Baat hai k ye dono hi Asbaab Aaj Kasrat se hamare Ma'ashre mai Aam hai , Geebat ,Chugli , Hattaki Bohtaan tarashi Ko Gunaah hi nahi samjha Jata , isi tarah nayi tehzeeb ke matwale Peshaab ke qatro se taharat ko fizool samajhte hai'n , Khade khade peshaab kar dena aur Paaki aur istinje ke bager Zindgi guzaarna pasand hi nahi raha , is maamle mai nayi tehzeeb ne insaan ko be aqal Jaanwaro ki saf mai la khada kiya hai,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Ek ibratnaak Khwaab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Samra bin Jundub Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Subeh ki Namaz padh Kar hamari taraf mutavajjah Hote aur poochhte k Kya tumme se kisi ne koi Khwaab dekha hai ? To agar kisi ne koi Khwaab dekha hota to wo Bayan karta aur Aap uski munasib tabeer irshad farmate ,
❀__Ek Din Aap Sallallahu Alaihivasallam ne isi tarah Sawal farmaya to humne arz Kiya k Humne se kisi ne khwaab nahi dekha hai, to is per Aapne Apna Taveel Khwaab Hazraate Sahaba ko sunaya k Aapko do Shakhs Haath pakad Kar le gaye aur Ummat ke gunahgaro per Barzakhi Zindgi mai Jo azaab ho rahe hai'n Unki tafseel se mushahida karaya Jiska Khulasa darje zail hai :--
(1)-  Aapne Ek Shakhs ko dekha k Wo betha hua hai aur Uske saamne Ek Doosra Shakhs lohe Ka Zever liye khada hai aur Wo us Zever se bethe hue Shakhs ke ek kale ko gaddi Tak cheer deta Hai fir doosre kale ke Saath yahi Maamla karta Hai, itne mai pehla kala Sahi ho jata Hai, Barabar uske Saath yahi bartaav Kiya ja raha hai, Baad mai poochhne per maloom hua k Jiska Kala cheera ja raha hai Wo jhoota Shakhs hai Jis per Aitmaad karte hue log uski Baat Duniya Jaha'n mai faila dete hai'n ,
❀__ (2) _ Ek Shakhs ko Aapne dekha k Wo guddi ke bal Leta hua hai aur Ek Doosra Shakhs uske SAR ke Paas bada sa Patthar liye hue khada hai, Wo lete hue Shakhs ke ke Sar ko kuchal deta Hai, Patthar ludak Kar kuchh door Chala Jata hai to itne mai Wo use utha Kar laye uska Sar fir wesa hi Sahi Saalim ho jata Hai, fir usko maarta hai aur yahi silsila barabar Jaari rehta Hai, iski Tehqeeq se maloom hua k ye Wo Aalime Deen tha Jo na to Raat mai ilmi mashguliyat mai rehta tha aur na din mai us per Amal karta tha ,
❀__( 3 ) _ Isi Khwaab mai Aapne ek bada gadha dekha Jo Aag ke tandoor ki tarah tha ,Jiska ouperi hissa tang Tha aur nichla hissa Bahut kushada tha Jisme Aag dahak rahi thi , Usme Nange Mard Aurat they Jo jal bhun rahe they, Jab Aag ki lapte Buland hoti to wo ouper aa kar nikalne ke qareeb ho Jate fir niche teh mai chale Jate , Unke mutalliq poochhne se pata Chala k ye Haraamkaar aur Zinakaar log hai'n , Qayamat Tak inke Saath yahi Maamla Jaari rahega,
❀__( 4 ) _ Isi tarah Aapne dekha k Khoon ki nehar ke beech mai ek Shakhs khada hai aur Uske kinaare per Doosra Shakhs haath mai Patthar liye hue mojood hai , Jab nehar Wala Shakhs Bahar nikalne ki koshish karta Hai to ye Shakhs Patthar maar Kar use Apni jagah lota deta Hai, uske mutalliq jab Aapne daryaft Kiya to batlaya gaya k ye Sood Khor Shakhs hai , Qayamat Tak ise khoon ki nehar mai rehna padega ,
* Bukhari Sharif-1/185 _,*
*"__ Nabi Ka khwaab bhi Chunki Wahih ke darje mai hota Hai,lihaza khwaab mai Jo Haalate dikhayi gayi hai'n Unke Waaqa'i hone mai koi shak ya Shuba Ka imkaan nahi Hai, Ye Barzakh ke Halaat hai'n , Jo Mazkoora Zurmo mai mubtila logo ke Saath Qayamat Tak Hote rahenge , Allah Ta'ala har Musalman ko in Asbaab se Mehfooz rakhe , Aameen , 
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Na-Jaa'iz Maqasid Se Zaibo Zeenat Karne Walo Ko Azaab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ek Rivayat mai Hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Mai'ne kuchh Mardo'n ko dekha jinki khaale kheenchi ja rahi thi , Maine poochha ye Kon log hai'n? To jawab mila- ye Wo Murda log hai'n Jo Haraam ( Ajnabi Aurto'n ) ko Apni taraf mutavajjah karne ke liye Zaibo Zeenat kiya karte they ,
Aur farmaya k Mai'ne ek badbudaar Kunwa dekha Jisme Cheekh v Pukaar ki Awaaz aa rahi thi , Maine poochha k ye Kya hai ? Jawab mila k isme Wo Aurte'n hai'n Jo ese Mardo'n ko rijhane ke liye Zaibo Zeenat karti thi Jo Unke liye Halaal nahi hai'n _,"
* Sharah Sadr v Al Khateeb v ibne Asaakir -133,*
❀__Gor Kijiye k Kya Aaj ye Buraa'i Ma'ashre mai Aam nahi hai ? Nayi tehzeeb ke matwale Azaad Nojawan Ladke aur Ladkiya'n haraamkaari ke liye ek doosre per Sabqat le Jane ko Taiyaar hai'n , Aurte'n digar taqribaat ya bazaaro ki sayro tafreeh ke liye poora makeup Karna zaroori samjha Jata hai ,Ye Sab Akhirat ke azaab se be fikri ki baate hai'n aur Allah Ta'ala se Sharmo Haya ke taqazo ke bilkul khilaf hai ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Namaz Be Waqt Padhne Wale Aur Chugal Khor Ki Saza ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Usi Khwaab se mutalliq Baaz rivayato mai ye tadseel hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne ek Shakhs ko dekha Jiski khopdi ko ek bade Patthar se is zor se maara Jata hai k uska magz nikal Kar Baahar aa Jata hai aur Patthar door ja Kar girta hai , Jab Aapne us Bad Naseeb Shakhs ke bare mai Sawal Kiya to maloom hua k ye Wo Shakhs hai Jo Isha ki Namaz Sire se Padhta hi nahi Tha aur Digar Namaze bhi want se be Waqt Padhta tha , Lihaza Qayamat Tak uske Saath yahi Maamla hota rahega _,"
* Sharah Sadr - 232,*
❀__ Fir Aapne Ek Shakhs ko dekha k Ek bade Kainche se uske Kale cheere ja rahe hai'n, Uske mutalliq maloom Kiya to bataya gaya Ye Shakhs logo ki Chugliya'n khaata tha ,Jisse logo mai fitna fasaad barpa ho jata tha ,
* Sharah Sadr - 232,**
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Sood Khor Ki Badtareen Saza ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Fir Aapne dekha k Khoon ki ek nehar hai Jo is tarah Garmi se khol rahi hai Jese Aag per rakhi Hui degchi kholti hai , Us Nehar mai Kuchh nange log hai'n aur Nehar ke Kinaaro per Farishte hai'n ,Jinke haatho mai Mitti ke dhele hai'n , Nehar ke logo mai Jab bhi koi Baahar nikalne ki koshish karta Hai to Farishte uske moonh per is zor se dhela kheench maarte  hai'n  k Wo Shakhs fir Nehar ki teh mai gir Jata hai , un logo ke mutalliq Aapko bataya gaya k ye log Ummat ke sood Khor hai'n , Unko Qayamat ke Din Tak yahi azaab diya Jata rahega _,"
* Sharah Sadr- 232 ,*
❀__ Safare Meraaj se mutalliq Baaz rivayato mai hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka guzar ese logo per hua Jinke pet itne bade bade they Jese ( insaan Ke rehne ke ) Ghar Hote hai'n aur unme Saanp they ,Jo Baahar Nazar aa rahe they , Maine kaha - Jibraiyl ! Ye Kon log hai'n , Unhone kaha ye Sood Khane wale Bad Naseeb log hai'n _,"
* Mishkaat Sharif - 246 ,*
*❀__Ye hai Haraam Kamaa'i Ka Badtareen Vabaal , isliye har Musalman ko Allah se darna chahiye aur Apni Aamdani Khaalis Halaal rakhne ki poori koshish karni chahiye ,**
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Zinakaaro Ka Anjaam ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Aur Ummat ke Zinakaaro ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is Haal mai dekha k Wo Nange hone ki haalat mai Aag ke bade kamre mai band hai'n aur Waha'n se itni Sakht badboo aur ta'afun uth raha hai k Paigambar Alayhissalatu Wassalaam ko Apni Naak Shadeed badboo ki vvajah se band karni padi , Aapko bataya gaya k ye log Zinakaar Mard v Aurat hai'n aur ye Shadeed na qabile bardasht badboo Unki sharmgaaho se aa rahi hai _,"*
* Sharah Sadr - 233,*
❀__Aur Safare Meraaj mai Aapne dekha k Ek taraf ek khwaan mai taza Halaal gosht rakha hai aur Sar ki taraf Doosri Tasht mai Sada hua gosht mojood hai , Magar log Halaal gosht Chhod kar Haraam Sada hua badboodaar gosht Khaa rahe hai'n , Un logo ke bare mai maloom hua k ye Wo log hai'n Jo Halaal Raasta Chhod kar Haraam tareeqa akhtyar karte hai'n ( Maslan Mard ke paas Halaal aur Tayyab Bivi mojood hai, Magar use Chhod Kar zaaniya Badkaar fahisha ke Saath Shab Baashi karta Hai , isi tarah  Aurat ke paas Halaal Shohar mojood hai Magar uske Paas na reh Kar  Gairo ke Saath Raat guzaarti hai ) _,"
   
❀__Aur Aapne Kuchh Aurto'n ko dekha k Wo Apne Pishtaano ke zariye latka di gayi hai'n aur Wo cheekho pukaar Kar ke Allah se faryaad Kar rahi Hai'n , Unke bare mai bataya gaya hai k ye bhi Zinakaar Aurte'n hai'n _,"
* Dalaa'il Nabuwat Al Bayhiqi - 2/ 392 _,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Lawatat Karne Walo Ki Badtareen Saza ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__Isi tarah Aap Sallallahu Alaihivasallam ne dekha k Ek Diyaah Teela hai ,Jis per Kuchh log mojood hai'n , Unke Pichhe ke Raaste se Dahakti Hui Aag daali ja rahi hai Jo unke Jismo se ho Kar moonh Tak ,Kaan aur Aankho ke Raaste se khaarij ho rahi Hai, Is holnaak Azaab mai mubtila logo ke bare mai poochhne per maloom hua k ye Lawatat karne wale ( Yani Mard ho Kar Mard hi se Jinsi Khwahish poori karne wale galeez ) log hai'n , Is Kaam love karne wale aur karane wale dono Azaab mai giraftaar hai'n _,"
* Makhooz - Sharah Sadr ,*
*❥ Be Amal Waa'izo Ka Anjaam ❥*
❀__  Meraaj  ke Safar mai Aapka guzar ese logo per bhi hua jinki zubaane aur Hont Kainchiyo se Kaate ja rahe they, Kaatne ke Baad foran Apni Asali haalat mai aa Jate they aur fir Unhe kaata ja raha Tha , Barabar yahi silsila jari tha, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Jibraiyl Alaihissalam se poochha k ye Kon log hai'n ? To jawab Mila k ye Ummat ke be Amal ,Fitno mai mubtila waa'iz hai'n ( Jo Doosro ko Nasihat to karte they Magar Khud us per Amal nahi karte they )_,"
* Makhooz -Mishkaat Sharif - 238 _,*  
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Qaumi Maal mai Khayanat Karne Walo Ka Azaab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Raaf'a farmate hai'n k Ek martaba mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke hamraah Baqi' ke Qabristaan se guzra to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne" Uff .. Uff ,"farmaya ,
Mujhe Khayal hua k Shayad Aap mujhse ye nagawari Ka kalma farma rahe hai'n , Chunache Mai'ne foran arz Kiya k - Hazrat ! Mujhse Kya khata Hui ?
Hazrat Rasoole Paak Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Kya Matlab ? Maine Arz Kiya Hazrat ne mujhe dekh Kar " Uff " farmaya ,
To Aap  Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Tumhe dekh Kar Maine ye kalma nahi kaha balki is Qabr wale fala'n Shakhs ko Maine fala'n qabile ki Zakaat Vasool karne ke liye Aamil bana Kar bheja tha , Usne Waha'n ek Kurta Khayanat Kar ke chhupa liya Tha , Ab Usi jesa Aag Ka kurta use Qabr mai Pehna diya gaya Hai, ( Allah Ta'ala hanari sabki hifazat farmaye ) _,"
* Musnad Ahmàd- 392 , Sharah Sadr - 238,*
❀__ Ye Rivayat Qaumi v Milli Kaam karne walo ke liye Sakht khatre Ka pata deti hai , Agar Maali Zimmedari ki Adaygi mai Kotaahi barti Jaye to Qabr mai Holnaak Azaab Ka Andesha hai , Allah Ta'ala hum Sabko Apna Khof aur Khashiyat ata farmaye , (Aameen )   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Dhoke Baaz Ko Azaabe Qabr ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Abdul Hameed ibne Mehdood maguli Kehte hai'n k Mai'n Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ki Majlis mai Haazir tha , Kuchh log Aapki khidmat mai Haazir hue aur Arz Kiya k Hum Hajj iraade se nikle , Jab Hum zaatul Safa ( Ek muqaam Ka Naam ) pahunche to hamare ek Saathi Ka inteqal ho gaya ,
Chunache humne uski Tajheez v Takfeen ki , Fir Qabr Khodne Ka iraada kiya ,Jab hum khod chuke to humne dekha k Ek bade kaale Naag ne poori Qabr ko ghair rakha hai , uske baad humne Doosri  jagah Qabr khodi to Waha'n bhi Saanp mojood tha , Ab hum Mayyat ko wese hi Chhod kar Aapki khidmat mai aaye hai'n k Ab hum Kya Kare ?
Hazrat Abdullah ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne farmaya k ye Saanp uska Bad Amal hai ,Jiska Wo Aadi tha ,Jao use Usi Qabr mai Dafan Karo , Allah ki qasam agar tum uske liye poori Zameen khod daloge fir bhi Wo Saanp uski Qabr mai paaoge ,
Bahar haal use isi tarah Dafan Kar diya gaya ,Safar se waapsi per logo ne uski Bivi se us Shakhs Ka Amal poochha ,To usne bataya k uska ye mamool thank Wo Galla bechta tha aur Rozana Bori mai se Ghar Ka kharch nikaal Kar usme Usi miqdaar Ka bhus Mila deta Tha ,
* Bayhiqi Fi Shoebul imaan Ba hawala Sharah Sadr- 239,*
❀__ Agarche Allah Ta'ala Ka Aam dastoor yahi k Azaabe Qabr Ka mushahida Aam jinnaato aur insaano ko nahi hota Lekin kabhi kabhi Allah Ta'ala ibrat ke liye Baaz Ahwaal zaahir Kar dete hai'n, Kitaabo mai ese Bahut se Waqi'aat mojood hai'n Jinme Qabr ke Halaat ke Mushahide Ka zikr hai Aur Qudrate Khudawandi se ye Amr ba'ied bhi nahi hai Kyunki Baaz logo per Halaat munkashif karne per poori tarah qaadir hai ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Gusle Janabat na Karne Ki Saza ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Abaan ibne Abdullah Al Jabli kehte hai'n k hamare ek Padosi Ka inteqal ho gaya, Chunache hum uske Gusl aur Tajheez v Takfeen mai Shareek rahe , Magar jab hum use Qabristaan le Kar pahunche to uske liye Jo Qabr khodi gayi thi Usme Billi Jesa ek Jaanwar nazar aaya , Logo ne use Waha'n se nikaalne ki Bahut koshish ki Magar Wo Waha'n se nahi hata ,
Majboor ho Kar Doosri Qabr khodi gayi to usme bhi Wahi Jaanwar mojood mila , Teesri martaba bhi Yahi hua , Aajiz aa kar logo ne Usi ke Saath us Shakhs ko dafan Kar diya , Abhi Qabr barabar hi ki gayi thi k Qabr se ek Zabardast dhamaka ki Awaaz suni gayi , Logo ne uski Bivi ke paas aa kar us Shakhs ke Halaat maloom kiye to pata Chala k Wo Janabat se Gusl nahi karta tha ,
* Sharah Sadr - 244 ,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Namaz Chhodne aur Jasoosi Ki  Saza ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Amru bin Dinaar kehte hai'n k Madina mai rehne wale ek Shakhs ki Behan Ka inteqal ho gaya, Bhai ne Kafan v Dafan Ka intezam Kiya , Fir use Yaad aaya k Dafan karte Waqt uski ek theli Qabr mai Reh gayi hai,
Chunache Wo Apne ek Saathi ko le Kar Qabristaan Gaya aur Qabr khod Kar Apni theli nikaali fir Apne Saathi se kaha k Tum Zara hat jao Mai'n Bagli Qabr ki Eiynt hata Kar Apni Behan ko Dekhna chahta hu'n , Usne Jese hi Eiynt hatayi to dekha k poori Qabr Aag ke Sholo mai ghiri Hui hai , Usne Jaldi se Qabr band ki aur Apni walida ke paas aa Kar Behan Ka haal maloom kiya ,To Walida ne bataya k Wo Namaz Dayr Kar ke padhti thi aur bila Vazu bhi padh leti thi aur jab Padosi so Jate to kamre ke darwaze per Kaan laga Kar Unke chhupe hue Raaz haasil kiya karti thi _,"
* Sharah Sadr- 234,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Qabr mai Chaar Nafa Bakhsh Umoor ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Qabr ke Zamane mai nafa pahunchane wale umoor 2 tarah ke hai'n , Ek to wo Khaas A'amaal e Saleha hai'n Jinka Sawab Marne ke Baad bhi Jaari rehta Hai , Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai:-
"__ Jab insaan Mar Jata hai to usse Amal Ka silsila munqata ho jata Hai, Lekin Teen A'amaal Ka sawab Baad mai bhi Jaari rehta Hai (1) Sadqa e Jaari'a (2) Nafa Bakhsh ilm (3) Nek Aulaad Jo Walden ke liye Dua e Khayr Kare _,"
* Muslim Shareef -2/21 _,*
❀__Is Hadees mai Sadqa e Jaari'a Maslan Masajid v Madaris ki tameer aur ilme naafe jisme ilmi tasnifaat aur shagirdo ke zariye ilmi faizan ki Tamaam soorte dakhil hai'n , Aur Saleh Aulaad ko musalsal sawab Ka Sabab qaraar diya gaya Hai, Jo nihayat Aham Basharat hai ,har Musalman ko koshish karni chahiye k Wo in A'amaal ko akhtyar Kare Taki Qayamat Tak uske liye sawab Jaari rehne Ka intezam ho sake , 
❀__Ek Doosri Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Jo Shakhs koi Achchha tareeqa akhtyar Kare to usko uska badla milega aur Jo log us Deeni Tareeqe per Amal karenge Unke sawab mai koi katoti ke bager us muwajjide Khayr ko bhi uska sawab milta rahega _,"
* Muslim Shareef -1/327 ,*
"__ isi Bina per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ke har fard ko Talqeen farmayi hai k Wo khayr ke darwaze ko kholne Wala aur Shar ke darwaze ko band karne Wala ban Jaye ,

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
         *❥ Isaale Sawab ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Doosri Cheez Jo Mayyat Ko Qabr mai nafa deti Hai Wo Mayyat Ko Gairo ki taraf se pahunchne Wala sawab hai ,Jis Tarah Zindgi mai Kisi Tohfe Taha'if se Aadmi ko Masarrat aur Bashashat haasil hoti Hai aur Wo unse Duniya mai nafa andaz hota Hai , isi tarah Qabr mai Jab Mayyat ke Paas Roohani Tohfe Ajro sawab ki Soorat mai pahunchte hai'n to use khushi haasil hoti Hai aur Wo in Tohfo se lutf andoz hota Hai, Duae Khayr ,Sadqaa ,Khairaat aur Hajj Ka Sawab Mayyat ko pahunchne per Ummat Ka ittefaq hai ,
❀__Aur is bare mai Sahih Ahadees bhi waarid hai ,Is per qayaas karte hue Ulma e Hanafiya aur Jamhoor Ahle Sunnat Wal Jama'at Ka moquf ye hai k Digar ibaadaat Namaz, Roza , aur Qur'ane Kareem ki Tilawat vagera Ka sawab bhi Mayyat ko pahunchaya Ja Sakta Hai , Allama Shaami Reh. ne Bahrur Raa'iq aur Bidaul Sana se Naqal Kiya hai k --
"__ Jo Shakhs ( Nifl ) Roze rakhe ,( Nifl ) Namaz padhe , ya Sadqa de aur Uska Sawab doosre Murda ya Zinda Shakhs ko pahuncha de to ye Jaa'iz hai , aur Ahle Sunnat Wal Jama'at ke nazdeek in A'amaal Ka sawab Mazkoora logo Tak pahunchta hai ,
* Shaami - 3/ 142 _,*
❀__Bahar haal Mayyat ko Sawab pahunchane ki fikr Karni chahiye, isme kisi Amal ya Waqt ki Qaid nahi jab bhi moqa ho aur jesi zarurat ho sawab ki Niyat Kar li jaye ,Maslan Rivayat hai k--
"_ Hazrat Sa'ad bin Ubaada Raziyallahu Anhu ki Walida Ka inteqal ho gaya ,Aapne Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se aa Kar arz Kiya k Hazrat Meri Walida Ka inteqal ho gaya hai To Unke liye konsa Sadqa Afzal rahega ? To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Paani ( Yani Unki taraf se Aam Musalmano ke liye Paani Ka intezam Kar diya Jaye ) , Chunache Hazrat Sa'ad bin Ubaada Raziyallahu Anhu ne ek Kunwa khudwaya aur fir Elaan Kar Diya k iska sawab Unki Walida Umme Sa'ad ke liye hai _,"
* Musnad Ahmad -2/7 , Sharah Sadr - 398 ,*
"_ Aaj Kal Jo Jaahilo ne Isaale Sawab Aur niyaaz ke Khaas Tareeqe Muta'iyan Kar rakhe hai'n Unka Shara'i saboot nahi hai , Teeja, Daswa ,Chaliswa , vagera Ka rasme Gairo ki rasme hai'n Jo yaqeenan Bid'at hai'n , Inka tark Karna Laazim hai, Isaale Sawab bila iltzaam aur bager kisi taiyane khas v takhsees ke hona chahiye ,
Baaz Ulma Masha'ikh ne Qabr per Haazri ke wqt Baaz soorte Maslan Surah Yaseen  ,Surah Fatiha ,Surah ikhlaas vagera padh Kar Isaale Sawab pahunchane ki Talqeen farmayi hai, Lekin inki bhi taa'iyn Laazim nahi balki kuchh bhi padh Kar Isaale Sawab Kiya ja sakta Hai ,
*___Alhamdulillaah Mukammal Hua _,*
       ╞━━•Reƒ•━━╞
* Allah Se Sharm Kijiye ,Baab -4 Maut Ki Yaad_,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯

*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 
                    ✍
        *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/
*Visit for All updates,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments