Maut Ki Yaad

a  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
         ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
          *■ MAUT - KI - YAAD ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
    *❥.Maut Ki Yaad Ka Hukm ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Ummat Ko Kasrat se Maut Ko peshe nazar rakhne Ka Hukm diya Hai _ ,
"__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya-
Lazzato ko todne wali Cheez Yani Maut ko Kasrat se Yaad Kiya Karo ,isliye k Jo bhi ise Tangi ke Zamane mai yaad Karega to us per Wus'at hogi ( Usko Sukoon haasil hoga k Maut Ki Sakhti ke muqable mai har Sakhti Asaan hai ) aur agar Aafiyat aur Khush haali mai Maut ko Yaad Karega to ye Us per Tangi Ka Baa'is hoga ( Yani Maut ki Yaad ki vajah se wo Khushi ke Zamane mai Akhirat se gaafil ho Kar Gunaaho se bacha rahega )_,"
* Ravaah Bizzaar , Sharah Al Sadr Al Saywti - 47 ,*
❀__Is Hadees se maloom hua k Maut ki Yaad har haal mai nafa Bakhsh hai ,Musibat ke Waqt isko Yaad karne se har Musibat Asaan ho jati hai , isiliye Qur'ane Kareem mai Sabr Karne Walo ko Basharat dete hue farmaya gaya Hai k " Ye Wo log hai'n k Jab unko koi Musibat pahunchti hai to kehte hai'n , inna lillaahi wa inna ilayhi raaji'oun , Yani hum Allah hi ke liye hai'n aur Allah hi Ki Taraf lot Kar Jane wale hai'n ,
Isi tarah Jab Khush haali aur Aafiyat ke Waqt Maut ko Yaad Kiya Jata hai to iski vajah se Aadmi Bahut se Gunaaho se mehfooz ho jata Hai , Jinka da'iya Umuman Khush haali ke Zamane mai Quwwat ke Saath ubharta hai , isliye Hadeese baala mai Maut ko lazzat todne wali Cheez qaraar diya gaya Hai ,

       ─━━━════●■●════━━━─
❀__Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek martaba Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam se Puchha Gaya k imaan Walo mai Konsa Shakhs Sabse Zyada Aqalmand hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Unme Jo sabse zyada Maut ko Yaad karne Wala ho aur Maut ke Baad ke liye Jo Sabse umdah taiyaari karne Wala ho, ( ese hi log Sabse Zyada Aqalmand hai'n ) _,"
* Ravaah ibne Maaja-324 Sharah Al Sadr -43 ,*
❀__ Hazrat Shaddaad bin Aus Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Aqalmand Aadmi Wo hai Jo Apne Nafs Ka muhasba karta rahe aur Marne ke Baad ke liye Amal Kare jabki Aajiz aur darmaandha Aadmi Wo hai Jo Apne Aapko Apni khwahish ke taabe bana le aur fir Allah Ta'ala se Ummeed baandhe _,"
* Ravaah Tirmizi -2/72 ,*
❀__Aaj Kal Aqalmand use samjha Jata hai Jo Duniya kamane aur Karobaar karne mai Sabqat le Jaye Chahe uske paas Akhirat ke liye koi bhi Amal na ho , aur Jo Shakhs Apni Zindgi Akhirat ki taiyaari mai lagaye ,Maal ke husool mai Halaal v Haraam ki tameez rakhe aur har marhale mai Shariyat ko malhooz rakhe to log use bechara aur Aajiz qaraar dete hai'n , Ese Shakhs ko tarah tarah ke taane Sunne padhte hai'n, Lekin Mazkoora Hadeeso mai Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Aqalmandi ko Jo Maiyaar batlaya hai Wo logo ki nazar se bilkul Alag hai , Qabile tareef Wo Shakhs hai Jo Maut ko Yaad karne Wala aur  Akhirat ki taiyaari karne Wala ho 
❀__Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saamne kisi Shakhs ki tareef bayan ki gayi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne logo se Puchha k Maut ko Yaad karne mai uska haal Kya Hai ? Logo ne arz Kiya k Humne usse Maut Ka zyada zikr nahi Suna ,
Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Puchha k Wo Apni khwahishaat ko chhodta hai ya nahi ? Is per logo ne arz Kiya k Wo Duniya se hasbe khwahishaat ke mutabiq faayda uthata hai ,
Ye sun Kar Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Wo Aadmi is tareef Ka mustahiq nahi Hai Jo tum uske mutalliq Kar rahe ho _,"
* Kitabul Zuhad ibne Mubarak- 90 ,*
"__ Bahar haal danishmand aur Aqalmand Wohi Shakhs hai Jo Hamesha daaymi Zindgi ko Behtar banane ke liye koshish karta rahe ,aur Chand Roza Zindgi mai pad Kar Hamesha Ke azaab ko mol na le ,   
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat ibne Ataa farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam jab logo mai Maut se gaflat Ka Ahsaas farmate to Aap Hujra Mubarak ke darwaze per khade ho Kar teen martaba pukaar Kar ye kalmaat farmate they -
Ey logo ! Ey Ahle islam ! Tumhare paas zaroor ba zaroor muqarrar Waqt mai Maut aane wali hai, Maut Apne Saath un cheezo ko layegi Jinko Wo laati hai , Wo Rahman ke muqarrab Bando ke liye Jo Jannati hai'n aur Jinhone uske liye koshish aur uski Ragbat ki hai Aafiyat ,Raahat aur Bahut hi Mubarak Ni'amate le Kar aayegi , Khabardaar ho Jao ! Har Mehnat karne wale ki ek inteha hai aur Wo inteha Maut hai ,Pehle aaye ya Baad mai _,"
* Ravaah Bayhiqi , Sharah Al Sadr -44,*
❀__Hazrat Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba Sahaba Raziyallahu Anhum se irshad farmaya k - Kya mai Tumhe ye na batau'n k Qayamat mai Allah Ta'ala imaan walo se Sabse pehle Kya Baat Karega aur tum usko Kya jawab Doge ?
Humne arz Kiya k Ji Haa'n Ya Rasulallah zaroor batlaiye ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Ta'ala Momineen se farmayega k Kya Tumhe mujhse mulaqaat pasand thi ,
Momineen arz karenge k Haa'n hamare Rab !
To Allah Ta'ala puchhega k Kyu ?
To Ahle imaan arz karenge- Hume Aapki Magfirat aur maafi ki Ummeed thi ,
To Allah Ta'ala farmayega - Meri Magfirat Tumhare liye Waajib ho gayi _,".
* Kitaabul Zuhad - 93,*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ .Maut Ke Mutalliq Aqwaal -❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maut Nasihat Ka intehayi mossir zariya hai Lekin isse gaflat bhi Bahut zyada hai, Maut W'az ke liye Kaafi Hai aur Zamana Logo mai Judaa'i paida karne Ke Liye taiyaar hai , Aaj Jo Log gharo mai hai'n Wo Kal Qabro mai honge ,
❀__Raja bin Haywah Reh. Farmate hai'n k Jo Shakhs Maut ko Kasrat se Yaad Karega uske Dil se Hasad aur itrahat nikal jayegi , Yani na to wo kisi Duniyavi Ni'amat ki Bina per Zahni uljhan mai mubtila hoga aur na hi Aysho masarrat mai mast ho kar gunaah Ka irtkaab Karega ,
❀__Aun bin Abdullah Reh.farmate hai'n k Jis Shakhs ke Dil mai Maut ki Yaad Jam jaati hai Wo Agle din Tak bhi Apni Zindgi ke rehne Ka Yaqeen nahi rakhta , Kyunki Kitne ese Din Tak pahunchne wale hai'n k Wo Maut ki vajah se din bhi poora nahi Kar paate aur Kitne log Kal ki Ummeed rakhne wale hai'n Magar Kal Tak nahi pahunch paate , Agar Tum Maut aur uski Aamad ko dekh lo to Aarzoo aur uske dhoke ko na-pasand karoge ,
"_ Aur Aap hi se marvi hai k Farmate they k Aadmi Jis Amal ki vajah se Maut ko na-pasand karta Hai ( Yani gunaah aur Musibat) use foran Chhod de fir Koi mushkil nahi jab Chahe Mar Jaye _,
   
❀__Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. Se marvi hai k Aap farmate they k Maut ki Yaad Jiske Dil mai Jagah bana le to Wo Apne qabze ke Maal ko Hamesha zyada hi samjhega ( Yani mazeed Maal badhane ki fikr na Karega ) ,
❀__Hazrat Majm'a Tayyami Reh. farmate hai'n k Maut Ki Yaad ek tarah ki Maaldaari hai ,
❀__Ka'ab Ahbaar Reh . Marvi hai k Jo Shakhs Maut Ko pehchaan le uske liye Duniya ki Tamaam musibate aur ranjo Gam halke ho Jate hai'n ,
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ek Danishmand Ka qaul hai k Dilo'n mai Amal ki Zindgi paida karne ke liye Maut ki Yaad Sabse Zyada mossir hai ,
❀__Ek Aurat ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Apne Dil ki Sakhti ki Shikayat ki to Aapne Nasihat farmayi k Tum Maut ko Kasrat se Yaad Kiya Karo Tumhara Dil naram ho jayega ,
❀__ Hazrat Ali bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu se Naqal Kiya gaya hai k Aap farmate they k Qabr Amal Ka Sandooq hai aur Maut ke Baad iski Khabar milegi ,
   
❀__ Saleheen mai se ek Shakhs Rozana Shehar ki Diwaar per khade ho Kar Raat mai ye awaaz lagata tha ,"_ Chalo Qaafile Ke chalne Ka Waqt aa gaya Hai _," Jab unka inteqal ho gaya to Shehar ke Haakim ko ye awaaz nahi sunayi di , Tehqeeq per pata Chala k uski wafaat ho gayi hai to Ameer ne ye Aah'aar padhe _
"__ Wo barabar Kooch ki awaaz aur Uske tazkare se dilchaspi Leta raha Yaha Tak k khwaah uske darwaze per Ount Baan ( Maut ke Farishte ki taraf ishara hai ) ne padaav daala , Chunache use Bedaar , musta'id aur taiyaar paya , Khoti Aarzue'n use gaafil na Kar saki _,"
❀__ Allama Taymi Reh.farmate hai'n k do cheezo ne mujhse Duniya ki lazzat Chheen li hai , Ek Maut ki Yaad ,Doosre Maidaane Hashr mai Allah Rabbul Aalameen ke saamne Haazri Ka istehzaar ,
❀__ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. Ka mamool thanks Wo Ulma ko jama farma Kar Maut , Qayamat aur Akhirat Ka muzakra Kiya karte they aur fir un Ahwaal se mutassir ho Kar Sab ese foot foot Kar rote they k Goya Unke saamne koi janaza rakha hai _,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Maut Ki Yaad Karne Ke Faayde ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Allama Sayuti Reh.likhte hai'n k Baaz Ulma se manqool hai k Jo Shakhs Maut ko Kasrat se Yaad rakhe usko Allah Ta'ala teen Baato ki tofeeq marhamat farmate hai'n -
*"__ 1- Tauba Ki Tofeeq -* Yani agar usse koi gunaah ho Jaye to wo jald se jald Tauba Kar ke Gunaah Maaf karane ki koshish karta Hai k Kahi Tauba ke bager Maut na aa Jaye ,
*"__ 2- Dil ko Qana'at -* Yani Maut ko Yaad rakhne Wala Hirs v Tama mai mubtila nahi hota balki Jo kuchh bhi use mil Jata hai Usi per Raazi rehta Hai aur ye Qana'at use Dili Sukoon aur Raahat ata karti Hai, Wo ye Sochta Hai k thodi si Zindgi hai Jis tarah bhi guzar Jaye Guzaar lenge ,Zyada ki fikr karne se koi faayda nahi ,
*"__ 3- Ibaadat mai Nishaat -*  Yani Maut ko Yaad rakhne Wala Shakhs jab ibaadat karta Hai to Poori diljami aur yaksui ki koshish karta Hai, is Diljami ki do vajah hoti Hai,ek ye k use khatra rehta Hai k pata nahi Aa'inda usko ibaadat Ka moqa mile k nahi Lihaza abhi ise Jitna Achchha Bana le Ganimat hi Ganimat hai ,
Doosra ye k Akhirat ki Yaad ki vajah se Apne ibaadat per Milne wale Azeem Akhirat ke badle Ka Kaamil Yaqeen Hota Hai , Jiski Bina per use ibaadat mai Wo kaifiyat Naseeb hoti Hai Jo Alfaz mai Bayan nahi Kiya ja sakta _,"

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥'Maut Ko Bhool Jane Ke Nuqsanaat.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Iske bar khilaf Jo Shakhs Maut ko Yaad nahi rakhta aur Aakhirat se gaafil rehta Hai Wo Teen tarah ki mehroomi mai mubtila ho jata Hai _
*"__1- Tasweef e Tauba _,* Yani agar usse koi gunaah ho Jaye to Tauba karne mai Taal matol karta rehta Hai aur istagfaar mai Jaldi nahi karta aur basa awqaat isi haalat mai uski Maut aa jati hai ,
*"__2- Duniya Ki Hawas _,* Jab Maut ki Yaad nahi rehti to Aadmi ki Hawas badh jati hai aur Wo zarurat ke mutabiq Rozi per Raazi nahi rehta balki Duniya ki Hawas Ka shikaar ho jata Hai ,Maut se gaflat ki Bina per mansoobo per mansoobe banata Chala Jata hai Jiska anjaam ye nikalta hai k Aarzue'n reh jati hai'n aur Maut aa Kar Zindgi Ka tasalsul khatm kar deti Hai ,
*"__ 3- Ibaadat mai Susti -* Jab Aadmi Maut se gaafil rehta Hai to ibaadat karne mai qudrati Tor per Susti zaahir hoti Hai aur Nishaat kafoor ho jata Hai, Avvalan to ibaadat karta hi nahi aur karta bhi hai to Wo Tabiyat per nihayat bojh hoti hai ,gira guzarti hai , ye giraani Sirf is Bina per hai k Aadmi ko ye istehzaar nahi Rehta k hum se marne ke Baad in Zimmedariyo ke bare mai Sawal Kiya jayega aur agar khada na khwasta waha Raza e Khudawandi ke mutabiq jawab nahi de paye to esi ruswayi hogi Jiske muqable mai Duniya ki Saari ruswaiya aur be izzatiya bahut chhoti hai ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Qabristaan Maut Ko Yaad Karne Ka Zariya Hai ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Ahadeese Tayyaba mai Jaha'n Maut ko Yaad rakhne ki Talqeen farmayi gayi hai Wahi Baaz ese A'amaal ki targeeb bhi waarid Hui Hai Jo Maut ko Yaad rakhne mai Mossir aur Madadgaar Hote hai'n , Unme Sabse Aham Amal ye hai k gaahe ba gaahe Aam Qabristaan jaa Kar Qabro ki Zindgi aur Qabr walo ke Halaat ke mutalliq gor kiya Jaye ,
Chunache Ek Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- Qabro ki Ziyarat Kiya Karo isliye k Maut ko Yaad dilati hai _, *( Muslim Sharif - 1/ 314 )*
❀__ Ek Rivayat mai Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- Mai'n tumhe pehle Qabro per Jane se Mana karta tha Magar ab suno ,Tum log Qabro per Jaya Karo Kyunki wo Dilo ko naram karti Hai, Aankh se Aansu Jaari karti Hai aur Aakhirat ki Yaad dilati hai aur koi fahash Baat mat kiya Karo , *( Ravaah Haakim Sharah Sadr 49)*
❀__ Isi tarah ki Hadees mai Qabristaan ko ibrat ki jagah qaraar diya gaya Hai aur Saath hi Qabristaan Jane Ka Asal Maqsad bhi Bata Diya k Waha'n Mahaz tafreeh aur tamasha ki garaz se na Jaye Balki Asal Niyat Maut ko Yaad karne aur Akhirat ke istehzaar ki honi chahiye, Magar Afsos Aaj hamare Dilo'n per gaflato Ka Parda pada hua hai aur qasawat Ka esa Zang lag chuka hai k Ab Qabristaan ko khel kood aur tamasho ki aam jagah bana liya gaya Hai, Urs ke naam se Auliya Allah ki Qabro per Wo toofan badtameezi bapa hoti Hai k Allah hifazat Kare aur in Sab kaamo ko bade ajro sawab Ke A'amaal mai Shamil karne ki sharmnaak koshish ki jati hai,
   
"_ isi tarah Aaj Qabristaan Aabadiyo ke beech mai aa chuke hai'n, Wo mohalle ke awaara Nojawano ke liye khel kood ke Maidaan bante ja rahe hai'n aur un Qabristaano mai Juwariyo'n aur Satta bazaaro ki qayam gaah bhi Nazar aati hai ,Qabro ke saamne rehte hue is tarah ki harkate Sakht Kasawate Qalbi ki daleel hai ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Murdo'n Ko Nehlana Aur Janaze mai Shirkat Karna.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maut Ko Yaad karne ke liye Do Aham aur Mossir Asbaab Baaz Rivayato mai Bayan kiye gaye hai'n , Ek Murdo'n ko nehlane mai Shirkat ki Jaye aur Doosra ye k Namaze Janaza mai Ba Kasrat Shareek hua Jaye ,
"__ Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Mujhse Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Qabro ki Ziyarat Kiya Karo Unke zariye se tum Akhirat ko Yaad rakhoge aur Murdo'n ko nehlaya Karo isliye k be-jaan Jism mai goro fikr bajaye khud ek Mossir Nasihat hai aur Janazo per Namaz padha Karo ,Ho Sakta Hai is Vajah Se Tumhara Dil gamgeen ho Jaye Kyunki Gamgeen Aadmi Allah Ta'ala ke saaye mai Rehta Hai aur har Khayr Ka usse Saamna hota Hai _,"
* Ravaah Haakim Sharah Sadr -50 ,*
❀__Hadees mai Teen baate irshad farmayi hai'n- Avval Qabristaan Jana , Doosre Murdo'n ko nehlane, Ye ek Nasihat hai aur mashre ke liye qabile tavajjoh hai ,Aaj Kal hum gair Muslimo ke Rivaaj aur Tor Tareeqo se mutassir ho Kar Muslim Mashre mai Naash se ek tarah Wahshat Ka izhaar Kiya Jane laga hai ,Ghar wale bhi qareeb Jana nahi Chahte ,Jab Gusl dene Ka moqa aata Hai to Doosro per Chhod dete hai'n, Mayyat ki Naash islam ki nazar mai qabile Ahatraam hai ,Uske Saath ikraam Ka Maamla Karna zaruri hai , isliye Behtar ye hai k Masa'il maloom Kar ke Mayyat ko qareebi log use Gusl de , Murdo'n ke Saath is tarah ke talluq se Apni Maut Ka manzar bhi saamne aa jayega aur fitri Tor per Aadmi Apne mistaqbil ke bare mai gor karne per Majboor ho jayega ,
❀__ Teesri Nasihat Namaze Janaza mai Kasrat se Shirkat ki Jaye , Muslim Sharif ki Rivayat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs kisi Musalman ki Namaze Janaza mai Shareek ho usko ek qiraat sawab milta hai, Jiski Kam se kam Wus'at Uhad Pahaad ke barabar hai ,Aur Jo Shakhs Janaze ke Saath Qabristaan Tak bhi Jaye usko Do qiraat sawab se nawaza Jata hai _," *( Muslim Sharif -307 )*
"__ isliye koshish karni chahiye k Jab bhi moqa mile Namaze Janaza na chhodi Jaye ,Namaze Janaza mai Chunki Aadmi ye tasavvur Kar leta Hai k Ek Din Mera Janaza bhi ese hi uthega aur log is andaz mai Ranjo Gam Ka izhaar karenge , Aur Qudrati Tor per inaabat ilallaah ki kaifiyat Paida hoti hai ,Saabqa Gunaaho per nadamat aur Sharmindgi Ka Ahsaas hota Hai aur is Haal mai Wo Shakhs Jo bhi tamanna Karega Rehmate Khudawandi uski Takmeel ke liye taiyaar hogi , ( in Sha Allah Ta'ala )
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
         *❥.Maut Ki Haqeeqat ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Aam Tor per ye Khayal hai k Maut Fana Ka naam hai , Halanki ye Haqeeqat Ki Sahi tabeer nahi , Asal Baat ye hai k insaan ki Maut Mahaz ek haalat se Doosri haalat ki taraf tagayyur se tabeer hai , Ye Jism Rooh ke liye Sawaari ki haisiyat rakhta Hai , Jab is Sawaari Ka sawaar Yani Rooh aur Jaan Jism se Juda ho jati hai to ye Sawaari Yani Badan bekaar ho jata Hai aur ab isko " Laash " ke Lafz se tabeer karte hai'n ,
❀__Laash Yani kuchh nahi , Dekhiye Yaha Badan poora mojood hai ,Haath ,Payr ,Kaan ,Naak vagera Sab kuchh Sahi Saalim hai Magar Jaan nikal gayi to kaha Jata Hai Aadmi Chala gaya ,isliye k Rooh chali gayi aur Jaan Apni jagah se muntaqil ho gayi ,Agar is Badan Ka naam insaan hota to Badan ke rehte hue kabhi ye na kaha Jata k Aadmi Chala gaya aur inteqal ho gaya ,
❀__Rooh nikalte hi uske Ghar wale aur Rishtedar aur Maal Daulat Sab chhin Jata hai , Rooh ko Duniyavi mashagil se Jitna zyada uns aur Talluq hota Hai Akhirat se gaflat hoti Hai,Utna hi us Rooh ko inteqal se Aziyat Ka Ahsaas hota Hai, Agar Rooh Duniyavi Asbaab ke bajaye Zikre Khudawandi se manoos hoti Hai to ye inteqal uske liye farhat aur masarrat v bashashat Ka unwaan ban Jata hai ,
   
❀__Saare insaan Goya k Neend mai hai'n Maut Yani Rooh ke inteqal per Wo Sab Bedaari ke Aalam mai aa jayenge aur Sabse pehle un per ye Baat munkashif hogi k Unki Nekiya'n Unke liye kitni nafa Bakhsh hai aur buraiyo'n se Kya nuqsanaat hai ,
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
             *❥ Maut Ki Shiddat.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Maut Ke Waqt ki Shiddat aur Sakhti na-qabile Bayan hai ,Uski Asal kaifiyat Wo hi Jaan Sakta Hai Jo is haalat se guzarta hai , Qur'an e Kareem mai gaafil insaano ko jhijhodte hue farmaya gaya Hai -
*__وَجَاءَتْ سَكْرَةُ الْمَوْتِ بِالْحَقِّ ذَٰلِكَ مَا كُنتَ مِنْهُ تَحِيدُ _,*
"__ Aur Maut Ki Sakhti Haqeeqatan Qareeb aa pahunchi ,ye Wo Chehre hai'n Jisse tu bidakta tha _," *(Surah Qaf,Aayat 19)*
❀__ Doosro Ka to Kya kehna Khud Aap Sallallahu Alaihivasallam per bhi ye Maut ki shiddat taari Hui , Bukhari Sharif ( 2/640 Hadees 4449 ) mai Rivayat Hai k - Wafaat ke qareeb Aap Sallallahu Alaihivasallam saamne rakhe hue ek Bartan mai se Paani le Kar Apne chehra e Anwar per chhidakte they taki takleef ki shiddat mai Kuchh kami ho aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki zubaane Mubarak per ye Alfaz they - "_Laa ilaaha illallaah ,inna lil mauti sakaraati _," Allah ke alawa koi Ma'abood nahi aur Waqi'a Maut ki sakhtiya'n bar haq hai ,
❀__Aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha irshad farmati hai'n k wafaat ke Waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam ki shiddate takleef Apni Aankho se dekh Kar mai kisi Marne wale ki takleef ko na pasand nahi karti , *( Bukhari Sharif- 2/ 239 )*
"__ Maloom hua k Maut ke Waqt ki Shiddat Ka Maamla aam hai ,Ye haalat Momin per bhi taari hoti Hai aur Kaafir per bhi taari hoti hai , Albatta iske asraat Alag Alag murattab hote hai'n k Momin ke liye ye shiddat Darjaat ki bulandi Ka Sabab hoti Hai jabki Kaafir aur faajir  ke liye azaab ki shuruaat hoti Hai , Baaz rivayato se maloom hota Hai k Allah Ta'ala Momin ki galtiyo ko maaf karne ke liye use Duniyavi takleef mai mubtila farma dete hai'n aur agar Koi kasar Reh jati hai to Maut ke Waqt ki Shiddat se uski talaafi ki jati hai , Jabki agar koi Neki Wala Amal karta Hai to iska badla use Duniya mai de Diya Jata Hai hattaki us Amal ki vajah se kabhi Maut se Asaani bhi use Naseeb ho jati hai ,   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Maut Ke Waqt Kesa Mehsoos Hota Hai ?-.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Hazrat Amr bin Aas Raziyallahu Anhu intehayi Aqalmand ,Zaki v Faheem Sahabi hai'n , Aapke Halaat mai likha hai k Jab Aap naza ki kaifiyat shuru Hui to Aapke Sahabzade ne farmaya k Abba Jaan ! Aap farmaya karte they k Kaash mujhe esa koi samajhdaar Aadmi milta Jo Maut ke Waqt ke Halaat mujhe Bata deta , aur Aap kehte they k Tajjub hai k Aadmi Hosh mai rehne ke bavjood Maut ke Waqt Apne ouper guzarne wali haalat nahi bata paata ,
Abba Jaan ! Ab Aap isi haalat mai Pahunch chuke hai'n ,Lihaza Aap hi Hume bataiye k Maut ke Halaat Kis tarah Mehsoos farma rahe hai'n ,
Sahabzade ki Baat sun Kar Hazrat Amr bin Aas Raziyallahu Anhu ne farmaya k Beta ! Haqeeqat ye hai k Maut ki kaifiyat ko Bayan Karna Alfaz ki giraft se Baahar hai , Lekin fir bhi Mai'n kuchh isharaat samjhata hu'n , Mai'n is Waqt esa Mehsoos Kar Raha hu'n Goya Meri Gardan per Razwa naami Pahaad rakh diya gaya Hai aur Mujhe esa lag Raha hai Goya Mere Pet mai Kaante ki Shaakh hai ( Jise kheencha ja raha hai ) aur Mujhe Saans lene mai itni Tangi aur takleef hai goya k Meri Jaan Sooi ke suraakh mai se ho Kar nikal rahi hai _,"
* Sharah Sadr-63 ,*
❀__Hazrat Shaddaad bin Aus Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maut Ka manzar Duniya aur Akhirat mai intehayi holnaak manzar hai aur Maut ki takleef Aaro se cheere Jane ,Kainchiyo se kaate Jane aur degchiyo mai pakaye Jane se bhi zyada Sakht aur aziyatnaak hai ,
Aur agar koi Murda Qabr se nikal Kar Duniya ke Zinda logo ki Sirf Maut hi ki shiddat se ba khabar Kar de to log Aysho Araam ko Bhool jayenge aur Unki Raato ki neende ud Jaye _,"
* Sharah Sadr -63 ,*   
❀__ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu ne ek martaba Ka'ab bin Ahbaar Raziyallahu Anhu se Puchha k Zara Maut ke bare mai batlaiye ? to Unhone jawab diya k Amirul Momineen ise Yu'n samjhiye k koi intehayi kaantedaar tehni Aadmi ke pet mai daal di Jaye aur Uske Kaante har har rag aur Jod mai fans Jaye aur fir koi nihayat taaqatwar Aadmi us tehni ko pakad kar Sakhti se kheench le to us Amal se jitni takleef hogi isse Kahi'n zyada takleef Maut ke Waqt hoti hai _,"
* Sharah Sadr - 64 ,*
❀__Hazrat Ata bin Yasaar Raziyallahu Anhu se marvi hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Maut Ka farishta jab Rooh nikaalta hai to uski takleef Talwaar ke ek Hazaar waar se bhi zyada Sakht hoti Hai aur Maut ke Waqt Momin ki Rag Rag mai Takleef Ka Ahsaas hota Hai aur us Waqt Shaitaan bhi uske nihayat qareeb hota Hai ( Taki use Aakhri Waqt mai behkaaye ) _,"
* Sharah Sadr - 65 ,*
❀__Jab Moosa Alaihissalam ki Rooh Allah Ta'ala ke darbaar mai Pahunchi to unse Allah Ta'ala ne Puchha - Aapne Maut ko kesa Paya ?
To Aapne jawab diya k Maine esa Mehsoos Kiya Jese k kisi zinda chidiya ko Angethi per bhoona Jaye k na to Woh mare hi aur na chhodi Jaye k ud Kar Bach Jaye ,
Aur Ek Rivayat mai Hai k Aapne farmaya k Maine esa Mehsoos kiya Jese k kisi zinda Bakri ki khaal utaari ja rahi ho _,"
* Tazkirah Fi Ahwaal Al Mauti v Al Akhirah - 21,*   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥.Maut Ke Waqt Shaitaan Ki Aakhri Koshish ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Insaan Ka Sabse bada Dushman Yani Shaitaan Aakhri Waqt Tak Apni koshish mai koi kasar nahi rakhta k Aadmi ko Kis tarah imaan se mehroom kar ke daa'imi azaab Ka mustahiq bana de , Chunache Rivayaat mai aata Hai k naza ke Waqt Shaitaan saamne aa Kar khada ho jata Hai aur Mukhtalif andaz se behkaane ki koshish karta Hai,
❀__Ek Rivayat mai Waarid hai k - Jo Musalman maut ke qareeb ho Unke Paas raho aur unko Kalma Tayyaba ki talqeen Karo aur Jannat ki Basharte sunaao isliye k us holnaak Waqt mai bade bade Aqalmand Mard Aurat hosh hawaas kho dete hai'n aur Shaitaan us Waqt insaan Ke Sabse Zyada qareeb hota Hai ,
* Kanzul Ummaal - 15/237 ,*
❀__ Imaam Ahmad bin Hambal Reh. Ki wafaat Ka Waqt jab qareeb aata Hai to Unke Sahabzade Abdullah Aapka jabza baandhne ke liye saamne Kapda liye khade they , idhar Aapka haal ye Tha k kabhi Hosh mai aa Jate kabhi istagraaq ki kaifiyat ho jati , Jab Hosh mai aate to haath se ishara Kar ke farmate ,Abhi nahi Abhi nahi , Jab Kai martaba ye kaifiyat Hui to Sahabzade ne Puchha k Abba Jaan Aap ye Kya farma rahe hai'n ? To Aapne jawab diya k Shaitaan mere saamne khada hai aur daanto mai ungliya'n daba Kar Keh raha hai k Afsos Ahmad tum mere haath se chhoot gaye , Mai'n usko jawab mai Kehta hu'n - Abhi nahi Abhi nahi Yani abhi Tak Tere Fareb se Aman nahi Hai jab Tak k Kaamil imaan per Maut na aa Jaye _,"   
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙             
*❥ Allah Anjaam Ba Khayr Kare.❥*
       ─━━━════●■●════━━━─
❀__ Aadmi ko Apne Zaahiri A'amaal per kabhi itminaan nahi karna chahiye Balki Hamesha darte rehna chahiye k na Jane Aakhir mai Anjaam Kya hoga ? Ulma ne likha hai k insaan per Zindgi mai Khofe Khuda Ka galba rehna chahiye aur marte Waqt Rehmate Khudawandi ki taraf tavajjoh ho Jani chahiye , Asal aitbaar Aakhri Anjaam Ka hai , isiliye Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :--
"__ Aadmi ek Taveel Zamane Tak Ahle Jannat wale A'amaal karta rehta Hai Magar Uski Amali Zindgi Ka ikhtitaam Jahannamiyo'n wale A'amaal per hota Hai , Aur Kabhi Aadmi Taveel Arse Tak Jahannamiyo'n Jese Amal mai mubtila rehta Hai Magar uska Khaatma Ahle Jannat wale A'amaal per hota hai _,"
* Muslim Sharif - 2/324 ,*
❀__Aur Bukhari Sharif ki Rivayat mai Hai k A'amaal Ki Qubuliyat Ka madaar Anjaam per hai _, ( Bukhari - 2/ 987 ) , isliye Hamesha koshish ki Jaye aur Allah Ta'ala se Dua maangi Jaye k uske Fazal aur Tofeeq se Khaatma Ba Khayr ho aur imaan aur Amale Saaleh ke aitbaar se sabse Achchhe Waqt mai Baargaahe Khudawandi mai Haaziri ki Daulat Naseeb ho ,
❀__ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Kasrat Se Ye Dua maanga karte they _," Ey Dilo'n ko palatne wale Rab ! Mere Dil ko Apni ita'at per Saabit Qadam farma de  _," To Maine arz Kiya k Ya Rasulallah ! Aap Kasrat se ye Dua Kyu Maangte Hai'n Kya Aapko Kisi Baat Ka khatra hai ?
Is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya k _" _  Ayesha mujhe Apne ouper kese itminaan ho Sakta Hai jabki Tamaam insaano ke Dil Allah Rabbul izzat ki Do ungliyo'n ke darmiyan hai ,Wo Jab Chahe Jis Bande ke Dil ko Chahe  fayr sakte hai'n _,"
* Tazkirah Fi Ahwaal Al Maut Val Aakhirah _44,* 
     ╞━━•Reƒ•━━╞
* Allah Se Sharm Kijiye ,Baab -4 Maut Ki Yaad_,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯

*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 
                    ✍
        *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/
*Visit for All updates,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments