BANAAT E ARBAAH- (ROMAN)

 ⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
         *■ BANAAT E ARB'AH ■*
       *⚂ HAZRAT ZAINAB RZ ⚂* 
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                   *❀_ Nabi Akram ﷺ ke Yaha'n Chaar Betiya'n hui'n, Chaaro Betiya'n Hazrat Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha se hui'n, inme Sabse badi beti Hazrat Zainab Raziyallahu Anha hai'n _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne Sayyada Khadija Raziyallahu Anha se nikah farmaya to uske paanch saal baad Sayyada Zainab Raziyallahu Anha paida hui'n, Us waqt Aan Hazrat ﷺ ki umr mubarak 30 saal ke qareeb thi, Goya jab islam ka Agaaz hua us waqt Sayyada Zainab ki umr 10 saal thi, Elane Nabuwat ke baad sabse pahle Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ne islam Qubool kiya tha, Aapke saath hi Aapki Aulaad bhi islam me dakhil hui,*

*★_ Makka Muazzama me Abul Aas bin Rabi'a ka Shumar shareef logo me hota tha, Ye daulat mand Taajir they, Hazrat Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha ne Huzoor Nabi Kareem ﷺ se guzarish ki k Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ka nikah Abul Aas se kar dena chahiye, Aap ﷺ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki raay ka bahut Ahatraam farmate they, Aapne Sayyada ka ye mashwara foran maan liya aur Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ka nikah Abul Aas se kar diya gaya _,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne jab Deen ki tableeg shuru ki to qureshe Makka ne zulmo sitam dhana shuru kar diya, Ek Roz mushrik Aapke gird jama ho gaye aur Aapko lage jhutlane aur bura kehne, Yaha'n tak k Aapko haatho se bhi takleef pahunchate rahe, Ye silsila subeh se dopahar tak jaari raha, Aakhir ye log Aapke paas se hat gaye, Us waqt ek Nav Umr ladki aayi, pareshani ki haalat me unhone dupatta pichhe daala hua tha, Wo pani ka ek pyala aur rumaal uthaye hue thi'n, Unhone Huzoor Akram ﷺ ko pani pilaya, Aapne pani nosh farma liya to rumaal se Aapke haath moo'nh saaf karne lagi'n, Ese me rehmate Aalam ﷺ ne nazar utha kar Aapko dekha aur irshad farmaya:- "Beti dupatte ko Apne seene per daal lo, Apne Waalid per Halakat ka koi khof na karo _,"*
*"_ Logo ne puchha :- Ye kon hai'n ? Unhe bataya gaya :- Ye Aap ﷺ ki Sahabzaadi Sayyada Zainab Raziyallahu Anha hai'n _," ( Majmua Az Zawa'id )*  

[8/25, 3:39 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Is Waqie se Zahir hai k Aap Apne Waalid ki mushkilaat me mukammal tor per saath de rahi thi'n aur Wo Daur Aan Hazrat ﷺ ke liye mushkil tareen daur tha_,*

*★_ Jab Mushrikeen Makka ke Zulm v Sitam ki buniyad per Aap ﷺ aur Aapke qareebi log Abi Taalib ki ghaati me rehne per majboor hue, To Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke shohar Abul Aas bin Rabi'a ne un dono in Hazraat ki khoob madad ki, Ye Shadeed tangi ke teen saal they, Unme Abul Aas Galla waha'n pahunchate rahe, Wo ye Galla ghaati ke dahane per rakh dete aur Awaaz laga kar Waapas mud jate, Aap ﷺ farmaya karte they:- Abul Aas ne hamari damaadi ki Behatreen riyayat ki aur uska haq ada kiya _,"*

*★_ Makka ke logo ki dushmani jab Had se badh gayi to unhone ek qadam aur bhi uthaya, Ye log Abul Aas ke paas gaye aur unse kaha :- "Tum Zainab (Raziyallahu Anha) ko talaaq de do, Tum Quresh me se jis Aurat ke saath nikah karna chahoge hum tumhara nikah us Aurat se kara denge _,"*
*"_ Is per Abul Aas ne kaha :- "Mai'n Apni Bivi Zainab (Raziyallahu Anha) ko talaaq nahi de sakta aur unke badle me Quresh ki kisi Aurat ko pasand nahi karta _,"*
*"_ Aur ye baat us daur ki hai jab k Abul Aas Musalaman nahi hue they, Makka ke Mushriko ke Aqeede per they,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ko ye baat maloom hui to Abul Aas ki tareef farmayi, Mushrikeen Makka ki dushmani jab had se badh gayi to Aan Hazrat ﷺ ne musalmano ko hijrat ka hukm farmaya, is tarah Musalmano ki Madina Munavvara ki taraf Hijrat shuru hui, Musalman Madina Munavvara pahunch gaye to unhe Mushriko se Jung ki ijazat ho gayi _,*
[8/26, 6:45 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Musalamano aur Mushriko me Junge shuru ho gayi'n, is silsile ki sabse aham Jung Gazwa Badar thi, isme Quresh poori tayyari se Maidane Badar me pahunche, Doosri taraf 313 Sahaba Aan Hazrat ﷺ ki qayadat me Mushriko se muqable ke liye Maidane Badar me aa gaye, is Jung me Musalamano ko Fateh hui, Kuchh mushrik Musalamano ke haatho giraftaar hue, Qaidiyo'n ko Madina Munavvara laya gaya taki unse maqool muawza le kar unhe Azaad kar diya jaye_,*

*★_ Qaidiyo'n me Abul Aas bhi they, Unme Hazrat Abbaas bin Abdul Muttalib Raziyallahu Anhu bhi qaid ho kar Madina Munavvara pahunche they, Ye Hazraat Zabardasti saath laye gaye they, Musalmano ke saath Jung ki garz se Apni marzi se nahi aaye they, na Jung ke dauran inhone talwaar chalayi, lekin Chu'nki Mushriko ke lashkar me shamil they aur isi haalat me giraftaar kiye gaye they, isliye Qaidi ki haisiyat me they,*

*★_ Ab Mushrikeen Makka ne Apne Apne Qaidiyo'n ke liye raqame irsaal karna shuru ki, Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke paas Apne Shohar ki rihayi ke liye naqad raqam nahi thi, Unhone Apna haar bhej diya, Ye haar unhe unki Walida Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne diya tha _,*

*★_ Aap ﷺ ki khidmat me ye Fidiya Jaat pesh kiye ja rahe they k ye Haar Aapke saamne pesh kiya gaya, Haar ko dekhte hi Aap per raqqat taari ho gayi, Sayyada Khadija Raziyallahu Anha yaad aa gayi'n, Us daur ki yaade taza ho gayi'n, Tamaam Sahaba bhi mutassir hue bager na reh sake, Unki Aan'kho me bhi Aa'nsu aa gaye, Us waqt Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:- "Tum pasand karo to Abul Aas ko riha kar do aur ye haar jo muawza ke tor per aaya hai, waapas kar do_,"* 

*★_ Us waqt Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne farmaya :- Aap durust farmate hai'n, hum bila muawza Abul Aas ko riha karte hai'n aur Zainab Raziyallahu Anha ke haar ko Waapas karte hai'n _,"*
*"_ Us moqe per Aan Hazrat ﷺ ne Abul Aas se farmaya:- "Tum Vaada karo k Makka pahunch kar Zainab ko hamare paas aane ki ijazat de doge _," Unhone kaha :- Ji Mai'n Vaada karta hu'n _," is tarah Abul Aas ko bila muawza riha kar diya gaya, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha wala haar Waapas kar diya gaya _,*
[8/27, 7:20 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Chand din baad Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu aur ek Ansari Sahabi Raziyallahu Anhu ko Makka ki taraf rawana farmaya, taki wo Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko Madina Munavvara le aaye'n _,"*

*★_ Udhar Abul Aas riha ho kar Makka pahunche, Tamaam Halaat Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko sunaye, Saath hi Unhone kaha :- "Meri taraf se tumhe ijazat hai Tum khushi se Apne Waalid ke paas ja sakti ho _,"*
*"_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Hijrat ki tayyari me lag gayi'n, Tayyari mukammal ho gayi aur Vaada poora karne ka din aa gaya to Abul Aas ne Apne Bhai Kanana bin Rabi ke saath unhe rukhsat kiya, Hazrat Zainab oun't per Sawaar hui'n aur Kanana ne Apne teer kaman bhi saath le liye, Unhone oun't ki muhaar pakdi aur rawana ho gaye,*

*★_ Kanana abhi unhe is tarah liye chale ja rahe k Quresh Makka ko is baat ka pata chal gaya, Wo waqt bhi din ka tha, Jab Hazrat Zainab ka oun't waadi Zi tawa ke paas pahunch gaya to Makka wale raaste me aa gaye, Pehla Shakhs jo takleef pahunchane ki niyat se aage aaya wo Hibaar bin Aswad tha, Usne Neze ka vaar kiya, Hazrat Zainab us waqt ummeed se thi'n, Aap niche gir padi'n aur zakhmi ho gayi'n, Ye dekh kar Kanana ne Teer kaman Sambhal liye, Unhone Raaste me aane walo per teer barsana shuru kar diye aur pukare :- "Jo bhi qareeb aayega, Use teero se chhalni kar diya jayega _,"*

*★_ Is per wo log ruk gaye, pichhe bhi hat gaye, lekin Raasta Unhone fir bhi na diya, is per Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Apne Dever ke saath waapas lot gayi'n, Chand din baad Raat ki tareeki me fir Kanana ke saath nikli aur us muqam tak pahunche me kamyab ho gayi'n Jaha'n Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu Apne Saathi ke saath unka intezar kar rahe they, is tarah Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Madina Munavvara pahunchi, Aan Hazrat ﷺ ne Abul Aas ki tareef farmayi k Unhone vaada poora kiya _,"*

*★_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne Aap ﷺ se raaste me pesh aane wali mushkilaat aur takaleef ka Zikr kiya, us waqt Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- "Meri Betiyo'n me Zainab Sabse Afzal hai, Jo meri vajah se musibat zada hui'n _,"*
[8/28, 6:45 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abul Aas Makka me they aur Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Madina Munavvara me Aan Hazrat ﷺ ke paas thi'n, Abul Aas jab tak imaan nahi laye Makka me rahe _,*

*★_ Makka wale Tijaarat ki garz se Shaam ki taraf Safar kiya karte they, Ek Tijarati Qafila Shaam ki taraf rawana hua, Usme Abul Aas bhi shamil they, Quresh ke maal unke paas they jinse unhe Shaam me Tijaarat karna thi, Jab Ye Qafila Shaam se Waapas lota to Musalamano ko iska ilm ho gaya, Musalmano ne un logo ko ghair liya aur giraftaar kar liya, Lekin isse pehle hi Abul Aas Qafile se alag ho kar Madina pahunchne me kamyaab ho gaye aur Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n pahunch gaye,*

*★_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne unhe panaah de di, Baqi Qafile wale baad me Madina laye gaye, Aam Musalamano ko is baat ki ittela nahi thi, Nabi Kareem ﷺ ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko Subeh ki Namaz padhayi, Ese me Aurto'n ki Safo me se Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne Aurto'n ko Awaaz di :- "Musalmano ! Maine Abul Aas bin Rabi'a ko panaah de di hai _,"*

*★_ Aap ﷺ ne ye suna to logo ki taraf mutavajjah hue aur irshad farmaya:- "Jo kuchh maine Suna, Tumne bhi sun liya _," Sabne arz kiya- "Ji haa'n ! Ey Allah ke Rasool _," iske baad Aap ﷺ ne irshad farmaya:- "Mujhe bhi is baat ka ilm nahi tha aur Jab Musalmano ka ek Adna Shakhs bhi kisi ko panaah de to iski panaah islam me manzoor ki jati hai aur uska panaah dena durust hota hai, To is tarah Zainab ka Abul Aas ko panaah dena sahi qaraar diya jata hai, is panaah ka khaas khayal rakhe'n _,"*

*★_ Iske baad Aan Hazrat ﷺ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke ghar Tashreef laye aur farmaya :- "Pyari Beti ! Inki achchhi tarah khatirdaari karna _," Ab Aap ﷺ ne un logo ko bulwa bheja jinhone Abul Aas ke maal rakhe they, Aapne unhe hukm diya:- "Abul Aas ke Tamaam Amwaal unhe waapas kar do, unme se koi cheez na rakhi jaye _,"*
[8/29, 5:12 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abul Aas ke Tamaam Amwaal unhe waapas mil gaye, Ab ye Makka Waapas pahunche, Jin jin logo ke maal unke paas they, Unhe bulaya, unka maal unhe lotaya, Fir un logo se kaha :- Kya maine sabka maal lota diya, Kisi ka mere zimme reh to nahi gaya_," Sabne kaha :- Hum sabko hamara maal Waapas mil gaya, tum bahut Shareef insaan ho, Allah tumhe jazae khayr ata farmaye _,"*

*★_ Is per Hazrat Abul Aas Raziyallahu Anhu ne elaan kiya :- Mai'n gawahi deta hu'n k beshak Allah Ta'ala ke siva koi ibaadat ke laa'iq nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke bande aur Rasool hai'n, Aur Allah ki qasam Madina Munavvara me Mai'ne isliye islam qubool nahi kiya k kahi'n tum ye guman na karne lago k maine tumhare Amwaal khane ka iraada kar liya hai, Jab Allah Ta'ala ki meharbani se maine tumhare Amwaal Waapas kar diye aur Mai'n is zimmedari se faarig ho gaya to ab Mai'n islam qubool kar raha hu'n _,"*

*★_ Iske saath hi Abul Aas Makka se nikal pade aur Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me haazir ho gaye aur islam laye, is tarah unka islam bahut umda aur Pukhta saabit hua, Nabi Kareem ﷺ ne pehle nikah hi ko barabar rakha, yani naye sire se nikah nahi padha _,"*

*★_ Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n Abul Aas se bahut Aulaade hui'n, Unme se ek bete ka naam Ali tha, Ek beti ka naam Umama tha, Ek bachcha thodi si umar me faut hua, Ek bachcha marne ke qareeb ho gaya to Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne Aap ﷺ ko Paigaam bheja :- Bachche ki tabiyat bahut kharab hai, Aap zara tashreef Le aaye'n _," Unke Paigaam ke jawab me Aap ﷺ ne ne kehla bheja :- Aap Sabr Kare'n, Jo Allah Ta'ala le lete hai'n, Wo bhi usi ke liye hai aur jo dete Hai'n wo bhi usi ke liye hai'n aur har shakhs ke inteqal ke liye Allah Ta'ala ke Yaha'n Waqt muqarrar hai, Tumhe har haalat me sabr karna chahiye _,"*
[8/30, 5:09 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha us waqt bachche ki vajah se bahut pareshan thi'n, Unhone Qasam de kar kehla bheja k Aap zaroor aaye'n, Is per Aan Hazrat ﷺ uth khade hue, Hazrat Saad bin Ubada, Hazrar Maaz bin Jabal, Hazrat Uba'i bin Kaab aur Hazrat Zaid bin Saabit Raziyallahu Anhum vagera Sahaba ki Jama'at saath chal padi, Aap Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke ghar pahunche, Bachche ka waqt qareeb tha, Unhe Aapki goad me diya gaya, Us waqt wo Aakhri Saa'ns le rahe they, Uski haalat dekh kar Aan Hazrat ﷺ ki Aankho se Aa'nsu jaari ho gaye, Ye dekh kar Hazrat Saad bin Ubada Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- Allah ke Rasool ! Ye kya ! Aap Aa'nsu baha rahe hai'n _,"*
*"_ Aap ﷺ ne irshad farmaya:- Ye to Rehmat hai jo Allah Ta'ala ne Apne Bando ke dilo me rakh di hai _,"*
*"_ Aapne ye bhi irshad farmaya :- Apne Reham Dil Bando per hi Allah Ta'ala rehmat farmate hai'n _,"*

*★_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke bete Ali bin Abul Aas Aap ﷺ ki nigrani me Parwarish pate rahe, Makka Fateh hua to Aap ﷺ ne unhe Apni Sawaari per Apne pichhe bithaya hua tha_,*

*★_ Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ki beti Umama se bhi Aan Hazrat ﷺ bahut Muhabbat karte they, Ek Roz ye manzar dekhne me aaya k Aan Hazrat ﷺ ne Umama ko Apne Kandhe per bithaya hua tha aur Aap isi haalat me Namaz ada farma rahe they, Jab Aap ruku farmate to unhe zameen per bitha dete aur Jab khade hote to unhe fir utha lete, yani Aapko unse is qadar Muhabbat thi,*

*★_ Hazrar Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n:- "Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me ek haar Bator Hadiya aaya, Us waqt Aapke paas kuchh Azwaaj Mutahraat jama thi'n, Umama Us waqt chhoti thi'n, Ghar ke taraf khail rahi thi'n, Nabi Aqdas ﷺ ne puchha :- Ye haar kesa hai _," Humne arz kiya:- "Bahut Behatreen hai, Humne kabhi itna Behatreen haar nahi dekha _,"*
*"_Hamari baat sun kar Aapne us haar ko apne haath me uthaya aur farmaya :- "Mai'n Ye haar Apni Aulaad me se uski gardan me dalunga jo mujhe zayada pasand hai _,"*
*"_ Ab Tamaam Azwaaj Mutahraat intezar karne lagi'n k dekhe'n haar kiske hisse me aata hai, Fir Aapne wo haar Apni nawasi Umama ke gale me daal diya_,"*

*★"_ is waqie se bhi Aan Hazrat ﷺ ki Apni Beti Zainab Raziyallahu Anha aur unki Aulaad se betahasha Muhabbat ka saboot milta hai _,*
[8/31, 7:02 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrar Zainab Raziyallahu Anha ne 8 Hijri me Madina Tayyaba me wafaat payi, Seerat likhne walo ne maut ka sabab wo zakhm likha hai Jo Makka Muazzama se hijrat karte waqt aaya tha, Yani jab Aap per teer se vaar kiya gaya tha aur Aap oun't se gir padi thi'n _,*

*★_ Aapki rooh parwaz kar gayi to ghar me mojood Aapki Betiya'n aur Doosri Aurte'n rone chillane lagi'n, Unke Cheekhne Chillane ki awaaze buland hui'n to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne unhe Sakhti se roka, is per Aap ﷺ ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se farmaya:- "Ey Umar ! Sakhti na karo _,*
*"_ Iske baad Aap ﷺ ne Aurto'n se farmaya :- "Tum Shaitani Awaaz nikaalne se parhez karo, Jo Aa'nsu Aankh se behte hai'n aur dil gamgeen hota hai ye to Allah ki taraf se hai aur ye uski Rehmat hai aur Jo kuchh haath se ya zubaan se kiya jaye, Wo shaitaan ki taraf se hai _,"*

*★_ Haath aur zuban se karne se muraad chhati maatha Peetna cheekhna Wabela karna hai, matlab ye k Aapne Apni Sahabzaadi ki wafaat per ummat ko ye taleem farmayi k kisi ki maut per haath aur zuban se be-sabri ki harkaat na karo, Musalman ke liye ye kisi tarah bhi Jaa'iz nahi, Ye Jaahiliyat ki rusumaat thi, Jo log Apne Azeezo Rishtedar ki maut per karte they, islam ne Sabr aur bardasht ki taleem di hai jesa k is moqe per Aap ﷺ ne farmaya_,*

*★_ Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ke GusL ka intezam Aap ﷺ ki khaas nigrani me hua, GusL me Ummul Momineen Hazrat Sauda Raziyallahu Anha, Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha aur Umme Ayman Raziyallahu Anha ne hissa liya, Pani me beri ke patte daal kar ubala gaya, Us pani se teen baar GusL diya gaya, Fir Kafoor ki khushbu lagayi gayi,*
*"_ Aap ﷺ ne farmaya tha:- "Jab tum GusL de chuko to mujhe ittela dena _," Chuna'nche Aapko ittela di gayi, Aap ﷺ ne Apna Tahband utaar kar diya aur farmaya:- "Mere Tahband ko kafan ke andar dakhil kar do _,"*

*★_ Is muqaam per Ulma ne ye nukta bayan kiya hai k Aap ﷺ ne pehle hi Apna Tahband utaar kar GusL dene wali khawateen ke hawale nahi kar diya tha, balki farmaya tha k jab GusL de chuko to batana, Jab Aapko bataya gaya tab Aapne Tahband utaar kar diya taki wo Tahband zyada der tak Aapke badan mubarak se laga rahe aur bilkul qareebtar waqt me jism mubarak se alag ho kar Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke jism Mubarak se lage _,*
[9/1, 6:49 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Kafan diya ja chuka to us waqt Hazrat Asma binte Umais Raziyallahu Anha ne kaha :- Humne Mulk Habsha me dekha hai k Aurto'n ki pardadaari ke liye unki chaarpayi per ek qism ki Doli si bana di jati hai taki mayyat ka jism poori tarah chhupa rahe _,"*
*"_ Asma binte Umais Raziyallahu Anha ke mashware per Parde ka yahi intezam kiya gaya, Ye Asma binte Umais Raziyallahu Anha Hazrat Jaafar Tayaar Raziyallahu Anhu ki Zoja Mohatrama thi'n _,"*

*★_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha pehli Musalaman khawateen thi'n Jinka janaza is Ahatmam se uthaya gaya, Namaze Janaza Aan Hazrat ﷺ ne padhayi, Fir Janaze ko qabr ke paas laya gaya, Qabr ki tayyari me abhi kuchh der baqi thi, Aan Hazrat ﷺ qabr ke nazdeek tashreef farma they, Sahaba Kiraam bhi Aap ﷺ ke saath bethe they, Aakhir Aapko bataya gaya k qabr Tayyar hai, Ab Aap khud qabr me utre, Us waqt Aapke chehre per gam ke asaar kam ho chale they, Chehre per bashashat aa gayi thi, Sahaba Kiraam hairaan they,*

*★_ Aakhir Aapse puchha gaya :- Allah ke Rasool ! Pehle Aap bahut gamzada they, hum kuchh puchhne ki himmat na kar sake, Ab Aapke Chehre per bashashat aa gayi hai to iski kya vajah hai _,"*
*"_ Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Qabr ki tangi aur uski khofnaaki mere saamne thi aur Zainab ka kamzor hona mujhe maloom tha, bas ye baat mujhe nagawaar guzar rahi thi, Maine Allah Ta'ala se dua ki k Zainab ke liye is haalat ko Asaan farma diya jaye, Allah Ta'ala ne ye baat Manzoor farma li aur Zainab se is mushkil ko door kar diya _," ( yani isliye tum ab mere chehre per bashashat dekh rahe ho )*

*★_ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko Hijrat ke waqt jo Zakhm aaye they, Wafaat se pehle wohi zakhm dobara taza ho gaye they aur Aapki wafaat ka sabab bhi wohi zakhm bane they, is bina per Ahle islam ne Aapko Shaheed qaraar diya hai, Allah ki un per Karodo rehmate Ho'n _,"* 

⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ 
 *★_ Sayyada Ruqayya Raziyallahu Anha_,*

*★_ Sayyada Ruqayya Raziyallahu Anha Hazrat Zainab Raziyallahu Anha se chhoti thi'n, Inki Walda Ummul Momineen Hazrat Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha hai'n, Aap Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke teen saal baad paida hui'n, us waqt Nabi Kareem ﷺ ki Umr Mubarak taqriban 33 saal thi, Aapne Apni behno ke saath saath Nabi Kareem ﷺ ki nigrani me tarbiyat payi aur Baalig hui'n, Khawateen me sabse pahle imaan lane wali khatoon Sayyada Khadija Raziyallahu Anha hai'n, Aapke saath Aapki Sahabzadiya'n imaan lane me pesh pesh hai'n, Jis waqt inki Walda imaan layi'n to unke saath hi ye Sahabzadiya'n bhi musalman hui'n _, ( Tabqaat ibne Sa'ad)*

*★_ Islam ke elaan se pehle Aan Hazrat ﷺ ne Apni Do Sahabzadiyo'n Ruqayya aur Kulsum ka Nikah Apne chach Abu Lahab ke dono beto ke saath kar diya tha, Ye sirf nikah hua tha, Rukhsati nahi hui thi _,*

*★_ Fir islam ka Agaaz hua, Aan Hazrat ﷺ per wahi naazil hone lagi, Toheed ki Ayaat utri, Shirk aur kufr ki buraiya'n bayan ki gayi'n, Yaha'n tak k Surah "Tabbat yada Abi Lahab wa Tab" Abu Lahab ke naam ke saath naazil hui, is per Mushrikeen Makka ki dushmani urooj per pahunch gayi, Abu Lahab ne Apne Dono beto ko hukm diya :- Agar tum Muhammad bin Abdullah ki Betiyo'n ko talaaq nahi doge to Mai'n tumhe moo'nh nahi lagaunga aur tumhara chehra tak nahi dekhunga _,"*
*"_ Baap ke kehne per dono Beto ne talaaq de di, aur dar asal ye in Sahabzadiyo'n ki gaibi madad thi, Allah Ta'ala ne chaha k ye paak Sahabzadiya'n Utba aur Utaiba ke Yaha'n na ja sake _,*

*★_ Is sare maamle me Dono Sahabzadiyo'n ka koi kusoor nahi tha, Sirf Aan Hazrat ﷺ ki Sahabzadiya'n hone ki buniyad per esa kiya gaya tha, Jab Abu Lahab ke ladko ne dono Sahabzadiyo'n ko talaaq de di to Nabi Kareem ﷺ ne Apni Sahabzaadi Ruqayya ka Nikah Makka me Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu ke saath kar diya _,*
[9/3, 7:09 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Is silsile me Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya:- Allah Ta'ala ne meri taraf wahi bheji hai k Mai'n Apni Beti Ruqayya ka Nikah Usman bin Affaan se kar du'n _,"*
*"_Chuna'nche Nabi Kareem ﷺ ne Hazrat Ruqayya ka Nikah Hazrat Usman se kar diya aur saath hi Rukhsati kar di _," ( kanzul Ummaal-6/375)*

*★_ Is silsile me ek rivayat ye hai :- Hazrat Ali Raziyallahu Anhu rivayat karte hai'n k Nabi Kareem ﷺ ne Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu se Apni ek Sahabzaadi Ruqayya ka Nikah kiya, Fir unje inteqal ke baad doosri Sahabzaadi Umme Kulsum ko unke Nikah me de diya _," ( Kanzul Ummaal -6/379)*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ka ek ke baad digar Apni do Sahabzadiyo'n ko Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke nikah me dena unki bahut badi Fazilat zaahir karta hai, Ye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki bahut Azeem Sa'adat aur khush bakhti hai k Nabi Aakhiruz Zama'n ki do Betiya'n Unke Nikah me aayi'n, Duniya me ye fazilat kisi aur ko haasil nahi hui, isse ye bhi saabit hai k Aan Hazrat ﷺ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko kis qadar pasand farmate they, Unse kitni Muhabbat farmate they,*

*★_ Allah Ta'ala ne Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ko Husn v Jamaal bhi bahut ata farmaya tha, Jab Aapki Shaadi Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se hui to us daur ki Aurte'n is Shaadi per rashk karti thi'n, Kyunki Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bhi bahut Haseen v Jameel they, Wo Aurte'n kaha karti thi'n:- insaano ne jo Haseen Tareen joda dekha hai, Wo Ruqayya aur unke Khawind Usman hai'n _,"*
[9/4, 6:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aur wo islam ka ibtidayi daur tha, Mushrik tarah tarah ke zulm dha rahe they, in Halaat me Nabi Kareem ﷺ ne musalmano ko mashwara diya k wo log agar Habsha ki taraf Hijrat kar jaye'n to ye unke liye behtar rahega, isliye k Habsha ka Badshaah bahut Nek insan tha , kisi per zulm nahi karta hai, waha'n tum araam aur Sukoon se reh sakte ho, fir Allah Ta'ala tumhare liye asaani ki koi soorat farma denge,*

*★_ Is per chand Afraad Habsha ki taraf nikal pade, Ye islam me sabse pehli Hijrat thi, Qurane Kareem me is Hijrat ki bahut Fazilat bayan hui hai, Chuna'nche Allah Ta'ala ne farmaya :-*
*"_ Jin logo ne Sitam Rasida hone ke baad Allah ke raaste me Hijrat ki aur Apna watan chhoda, Un logo ko hum duniya me achchha thikana denge aur Aakhirat ka Ajr bahut bada hai _," ( Surah Al- Nahal, Aayat 51)*

*★_ Ab jo Hazraat is Hijrat ke liye Makka se nikle, Unme Hazrat Usman Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha bhi Shamil they, Hijrat ka ye Waqia Nabuwat ke paanchve saal pesh aaya _,*

*★_ Hijrat karne wale in Hazraat ne Habsha Habsha me kuchh muddat guzari, Fir Makka Waapas aa gaye, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bhi Apni Ahliya Muhatrama Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ke saath Waapas aa gaye, lekin is dauran Aan Hazrat ﷺ Hijrat kar ke madina Munavvara Tashreef le ja chuke they, Lihaza Hazrat Usman Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ne bhi Madina Munavvara ki taraf Hijrat farmayi, Ye unki doosri Hijrat thi, is tarah inhe do martaba Hijrat ka sharf Haasil hua _,*
[9/5, 10:10 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Habsha me Rihaa'ish ke dauran Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ke Yaha'n ek beta paida hua, Unka naam Abdullah rakha gaya, is bachche ke naam ki nisbat se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki kunniyat Abu Abdullah thi, Apne Walden ke saath nawasa e Rasool Abdullah bhi Madina Munavvara pahunche, Inki umr 6 maah thi k ek murg ne thong maar kar inhe zakhmi kar diya, Us zakhm se inke chehre per waram aa gaya tha aur ye zakhm theek na ho saka, isi haalat me Abdullah inteqal kar gaye, inke baad Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ke Yaha'n koi aur Aulaad nahi hui _,*

*★_ Abdullah ke Inteqal per Aan Hazrat ﷺ bahut gamzada hue they, Aapne unhe goad me uthaya, Aapki Aankho'n se Aa'nsu beh rahe they, is haalat me Aapne farmaya :- Beshak Allah Ta'ala Apne Raheem aur Shafeeq Bando per Reham farmata hai _,"*
*"_ Fir Aap ﷺ ne unki namaze Janaza padhi, Unhe dafan karne ke liye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu qabr me utre _,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ki ek Khadima thi'n, Unka naam Umme Ayaash tha, Ye Aap ﷺ ki khidmat kiya karti thi'n, Lekin fir Aapne unhe Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ko soa'np diya aur wo unki khidmat karne lagi'n _,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ke ek kam umr khaadim Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu they, Jo Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ke bete they, Wo kehte Hai'n k ek Roz Aan Hazrat ﷺ ne mujhe gosht ka ek pyala diya aur irshad farmaya k ye Ruqayya ko de aao, Maine wo pyala Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar pahuncha diya, Us waqt ghar me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bhi mojood they, Khuda ki qasam maine esa umda joda pehle kabhi nahi dekha, Miya'n Bivi dono Husn v Jamaal me bemisaal they _," ( us waqt Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu ki Umr 10 Saal se kam thi )*
[9/6, 7:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Ek umda khana Tayyar kar ke Aap ﷺ ko bheja, Us din Aan Hazrat ﷺ ko Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar rehna tha, Magar jab Hadiya pahuncha to Aap us waqt ghar me mojood nahi they, Jab Tashreef laye to Ummul Momineen Umme Salma Raziyallahu Anha ne wo khana Aap ﷺ ko pesh kiya, Aapne daryaft farmaya:- Ye kisne bheja ? Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne bataya :- Ye Hazrat Usman ke ghar se aaya hai, ye sun kar Aan Hazrat ﷺ ne dono haath dua ke liye utha diye aur dua farmayi :- Ey Allah Usman Tujhe Raazi karna chahte hai'n, Tu bhi usse Raazi hi ja _,"*

*★_ Ye Waqiaat bata rahe Hai'n k Aap ﷺ ko Hazrat Usman Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha se kis qadar Muhabbat thi, Ek Roz Aap ﷺ Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ke ghar Tashreef le gaye, Aapne dekha Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka sar dho rahi hai'n, Ye dekh kar Aapne farmaya:- Beti ! Apne Khawind ke saath Achchha Sulook karti raho, Mere Sahaba me Usman ke Akhlaaq mujhse zyada milte julte hai'n _,"*

*★_ 2 Hijri ko Gazwa Badar pesh aaya, is Gazwe me Huzoor Nabi Kareem ﷺ khud Tashreef le gaye, Unhi dino Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha bimaar ho gayi'n, Bimari Shadeed thi aur Aap aur Aapke Sahaba Gazwa ke liye bilkul Tayyar they, Lihaza in Halaat me Aap ﷺ ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se farmaya:- Ruqayya bimaar hai'n, Aap unki timaardaari ke liye Madina me hi thehar jaye'n _,*
*"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saath Aap ﷺ ne Apne khaadim Hazrat Usama bin Zaid Raziyallahu Anhu ko bhi Madina Munavvara me theharne ka hukm diya _,"*

*★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Gazwa me shirkat ki Sa'adat haasil karna chahte they, Unki khwahish per Aap ﷺ ne irshad farmaya:- Aapke liye Badar me haazir hone walo ke barabar Ajr hai aur Maale ganimat me bhi Aapka hissa hai _,"*
*"_ Aap ﷺ ke is irshad ka matalab ye hai k Aapne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Gazwa Badar me Shareek hone ke barabar sawab ka haqdaar qaraar diya tha aur isi tarah Gazwa Badar me shirkat karne walo ke barabar maale ganimat ka haqdaar qaraar diya tha, iska ek matlab ye bhi banta hai k Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ki timaardaari ko Gazwa Badar me shirkat ke mutabiq qaraar diya tha _,"*
[9/7, 6:49 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ is silsile me ek rivayat ye hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Aap ﷺ se puchha tha :- Ey Allah ke Rasool ! Mere Ajr aur Sawab ke bare me kya hukm hai ? Aap ﷺ ne irshad farmaya tha :- Tumhara Ajr aur Sawab bhi Ahle Badar ke barabar hai _," ( ibne Aseer, Albidaya v Alnihaya )*

*★_ Is qadar wazahat ke baad bhi log aitraaz karte hai'n k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Gazwa Badar me Shareek nahi hue they, Ese log gumraah nahi to aur kya hai'n ,*.
*"_ 2 Hijri ko Gazwa Badar pesh aaya, doosri taraf Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ki Bimaari Shadeed ho gayi aur Aan Hazrat ﷺ ki Gair haajri me Aapka inteqal ho gaya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unki timaardaari bhi ki aur uske baad kafan dafan ka intezam bhi kiya _,*

*★_ udhar Maidane Badar me Mushrikeen Makka ko shikast ho gayi , Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu Fateh ki khabar le kar Madina Munavvara pahunchne, Us waqt log Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ko dafan kar chuke they aur Apne haatho se mitti se jhaad rahe they, Hijrat e Makka ke 17 maah baad Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ka inteqal hua tha,*

*★_ Chand din baad Nabi Akram ﷺ tashreef le aaye, Jannatul Baqi me Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ki qabr per Pahunche, Us moqe per kuchh khawateen bhi jama ho gayi'n aur rone lagi'n, Aurto'n ki Awaaz bulan hui to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne unhe zara sakht andaz me mana kiya, is per Aap ﷺ ne unhe Sakhti na karne ki hidayat farmayi aur Khawateen se farmaya:- Jab tak Aankh aur Dil se rona ho, Tab tak ye alamat Rehmat aur Shafqat hai, Lekin jab Zubaan se Wawela aur haath se ishare Ho'n to ye shaitan ki taraf se hai _,"*
*"_ is moqe per Sayyada Fatima Raziyallahu Anha bhi waha'n aa gayi'n aur rone lagi'n, Aap ﷺ ne unke chehre se Aansu ponchhe aur unhe tasalli di _,*

*★_ Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ki wafaat per Aap bahut ranjeeda they, Ek gam Aapko ye tha k Unki wafaat Aapki gair Haajri me hui thi, Aap ﷺ Aakhri lamhaat me bhi unke paas nahi they, Yaha'n tak k kafan dafan me bhi hissa nahi le sake they, Allah Ta'ala ki un per Karodo rehmate naazil ho'n _,*

⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ 

*★_ Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha_,*

*★_ Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha Nabi Akram ﷺ ki Teesri Sahabzaadi hai'n, Inki Walda Mohatrama Sayyada Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha hai'n, Aapka naam Umme Kulsum hai, Ye dar asal Aapki Kunniyat hai, Aap isi naam se Mash'hoor hai'n _,*

*★_ Nabi Akram ﷺ ne Nabuwat ka elaan farmaya to Aapne bhi Apni Walda aur behno ke saath islam Qubool kiya, Hijrat se pehle Aap Makka Muazzama me rahi'n, Aap aur Aapki Behan Ruqayya Raziyallahu Anha ka Nikah Abu Lahab ke beto se hua tha, Abhi Rukhsati nahi hui thi, "Tabbat yada Abi Lahab" Surat naazil hui to Abu Lahab ke kehne per uske ladko ne dono ko talaaq de di, Allah ko yahi manzoor tha k ye Pakiza Bibiya'n Napaak Mushrikeen ke gharo me na jaye'n_,*

*★_ Ye Talaaq sirf islam se dushmani me di gayi thi, Sayyada RUQAYYA aur Umme Kulsum Raziyallahu Anhuma ka koi kusoor nahi tha, Wo to sirf Aan Hazrat ﷺ ko dukh dena chahte they, Aap ﷺ ki dono Betiyo'n ko bhi ye Sadma Deen ki khatir diya gaya,*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ne Allah ke hukm se Makka se Madina hijrat farmayi, Hijrat ke chand maah baad Aan Hazrat ﷺ ne Abu Ra'afe aur Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhum ko Makka rawana farmaya taki Ye ghar ke afraado ko Madina le aaye'n, Aapne Sawaari ke liye 2 oun't aur naqad raqam bhi unhe di, Ye safar kharch ke liye thi, Aap ﷺ ne in dono Hazraat se farmaya tha :- Makka se hamare Ahal Ayaal ko le aaye'n_,*

*★_ Ye Hazraat Makka pahunche aur waha'n se Aap ﷺ ke ghar walo ko Madina Munavvara le aaye, Us waqt Aan Hazrat ﷺ Masjide Nabvi ki tameer me masroof they aur Masjid ke aas paas Hujre banwa rahe they, isliye aapne Ahle khana ko Hazrat Haarisa bin No'maan Raziyallahu Anhu ke ghar thehraya, Is tarah Umme Kulsum, Hazrat Fatima aur Ummul Momineen Sayyada Sauda Raziyallahu Anhuma Madina Munavvara pahunchi, Sayyada Ruqayya Raziyallahu Anha ne Apne Shohar Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saath aur Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ne Apne Shohar Abul Aas Raziyallahu Anhu ke saath hijrat ki, Jiska zikr pehle aa chuka hai _,*
[9/9, 5:23 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Gazwa Badar ke moqe per 2 Hijri me Sayyada Ruqayya Raziyallahu Anha inteqal kar gayi'n, Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ke inteqal ke baad Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bahut Gamgeen rehte they aur Chahte they k Nabi Kareem ﷺ ke saath Rishta Damaadi barqarar rahe, Chuna'nche Aan Hazrat ﷺ ne Usman Raziyallahu Anhu se farmaya:- "Ey Usman ! Ye Jibrai'l Alaihissallam hai'n, Ye khabar dete Hai'n k Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai k Mai'n Umme Kulsum Raziyallahu Anha ko Aapke Nikah me de du'n, Jo Mehar Ruqayya ke liye muqarrar hua tha wohi Mehar Umme Kulsum ka ho _,"*

*★_ Teen Hijri me Aan Hazrat ﷺ ne Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha ka Nikah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se kar diya, is tarah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko dohre Damaad hone ka Sarf haasil hua, Rukhsati chand maah baad hui, is nikah Ke moqe per Aap ﷺ ne irshad farmaya tha :- Mai'n Apni Betiyo'n ko Apni marzi se kisi ke Nikah me nahi deta balki Allah Ta'ala ki taraf se unke Nikaho ke faisle hote Hai'n _," ( Mustadrak Haakim 4/49)*

*★_ Is Hadees se ye baat Roze Roshan ki tarah Zaahir hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka Nikah Allah Ta'ala ke hukm se hua tha, Yahi nahi baqi Sahabzadiyo'n ke, Hazrat Zainab, Hazrat Ruqayya aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma ke Nikah bhi Allah Ta'ala ke hukm se hue, Unke Nikah ke saath kisi doosri Aurat ko Nikah me nahi liya gaya _,"*

*★_ Umme Kulsum Raziyallahu Anha ke Yaha'n Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki koi Aulaad nahi hui, Umme Kulsum Raziyallahu Anha jab tak zinda rahi'n Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne kisi aur Aurat se Nikah nahi kiya, In dono Sahabzadiyo'n ke baad Albatta Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Nikah kiye aur Unse Aapke Yaha'n Aulaad bhi hui _,"*
[9/10, 6:41 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha ka inteqal 8 Hijri me Aapki Zindgi mubarak me hua, Allah ko yahi manzoor tha k Aapki Teesri Sahabzaadi ka inteqal bhi Aapki zindgi me hi ho, Sha'ban 9 Hijri me Aap is Duniya se rukhsat hui'n _,*

*★_ Ye Sab Allah Ta'ala ke kaam hai'n, Aap ﷺ ke Sahabzaadgaan bhi Aapki zindgi hi me is Duniya se rukhsat hue, Ek Hadees me hai k Ambiya Alaihissallam Logo ke aitbaar se zyada Aazmaa'ish me hote Hai'n, Unke baad Jo unse zyada mushaba hue Hai'n wo Aazmaa'ish me mubtila hote Hai'n, Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha ke inteqal per Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka had darja gamzada hona qudrati baat thi, Aap ﷺ ne Aapko dilasa dete hue farmaya:- "Agar meri 10 Betiya'n hoti to Mai'n Ek ke baad digar Usman ke Nikah me de deta _,"*

*★_ Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha ke kafan dafan ke intezamaat Nabi Akram ﷺ ne khud farmaye, Safiya binte Abdul Muttalib Raziyallahu Anha, Hazrat Asma binte Umais Raziyallahu Anha, Hazrat Laila binte Qaanif Raziyallahu Anha aur Umme Atiya Ansariya Raziyallahu Anha ne Aapko GusL diya, GusL ke liye Beri ke patto wala pani istemal kiya gaya, GusL ke baad Kafoor ki khushbu lagayi gayi,*

*★_ GusL aur Kafan ke baad Janaze ke liye Aap ﷺ Tashreef laye, Aapne Namaze Janaza padhayi, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Namaze Janaza me shirkat ki, Namaze Janaza ho chuki to jannatul baqi me Aapko dafan kiya gaya,*

*★_ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Aan Hazrat ﷺ ki Sahabzaadi ke dafan ke moqe per hum haazir they aur Sardare Do Aalam ﷺ Qabr per Tashreef farma they, Maine dekha Aapki Aankho'n se Aa'nsu beh rahe they _,"*
*"_ Allah Ta'ala ki un per Karodo rehmate naazil ho'n _,*

⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙       

 *★_Hazrat Fatimatuz Zohra Raziyallahu Anha*

*★_ Sayyada Fatima Raziyallahu Anha Aan Hazrat ﷺ ki sab se chhoti beti hain. Aapka naam Fatima aur laqab Zohra aur batool hai. Aap ki walda sayyada khatijatul Kubra Raziyallahu Anha hai'n. Aap nubuwat ke elaan se taqriban 5 saal pehle paida hui'n. Yani Aap ﷺ ki umar us waqt 35 saal thi.*
 
*★_ Ek riwayat k mutabiq Aap nubuwat ke elaan ke baad paida hui'n, Jabki Aan Hazrat ﷺ ki umar 41 saal thi. Aapke chalne ka andaz Nabi e Kareem ﷺ ke jesa tha. Uthne baithne ke andaz bhi Aap ﷺ ke jese the.*

*★_ Nubuwat k elaan ke baad Makka ke Mushriko ne Aan Hazrat ﷺ ko satana shuru kiya. Ek Roz Aap ﷺ khana kaaba ke paas Haram me Namaz padh rahe the, Quresh ke chand shareero'n ne ek oo'nt ki ojhdi Aap ﷺ ki kamr mubarak par rakh di. Aap ﷺ us waqt sajde ki halat me the. Kisi ne ja kar ye baat Hazrat fatima Raziyallahu Anha ko bata di. wo daudi hui aayi'n. Aur is bojh ko Aap ﷺ ki kamar se utara. Namaz se farig ho kar Aan Hazrat ﷺ ne Mushrikeen k liye bad-dua farmayi .*

*★_ Allah Ta'ala ne Aapki ye dua qubul farmayi aur in me se zyadatar Gazwa e Badar me maare gaye. (Reference: Bukhari 1/74)*
[9/12, 6:52 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ne jab Makka Muazzama se Madina Munnawara hijrat farmayi to apni Betiyo'n Hazrat Fatima Raziyallahu Anha aur Umme Kulsum Raziyallahu Anha ko makka hi me chhod gaye the. Isi tarah Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Apne ghar walo'n ko bhi Wahi'n par chhod gaye the.*

*★_ Madina Munawwars me pahunch jane par aur Rihaa'ish k intezamaat karne k baad Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Zaid bin Harisa aur Hazrat Abu Raafe Raziyallahu Anhum ko inhe laane k liye bheja. Inhe safar ke liye, 2 Oo'nt aur 500 dirham bhi diye. Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki taraf se Abdullah bin Ariqat in Hazraat ke Saath rawana hue. In Hazraat ne Qadeed ke mukaam se sawariya'n kharidi, aur phir Makkah me dakhil hue.*

*★_ Yaha'n inki Hazrat Talha Raziyallahu Anhu se mulaqaat hui. Ye bhi hijrat k liye taiyyar the. Is tarah ye tamam Hazraat Aan Hazrat ﷺ ki Betiyo'n aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke ghar walo'n ko saath le kar Madina Munawwara pahunche, Madina Munawwara me qayaam pazeer hone k baad 2 Hijri me Nabi kareem ﷺ ne Fatima Raziyallahu Anha ki Nikah ki taraf tawajjoh farmayi. Baaz riwayat se pata chalta hai k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se Nikah ki darkhwast ki thi.*

*★_ Aap ﷺ ne unse puchha:- "Aap ke paas mehar k liye koi cheez hai?"*
*Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne arz kiya:- "Aur to koi cheez nahi hai, bas ek sawari aur ek zira hai"*
*"_Ye dono Cheeze Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne 400 dirham me farokht kar di. Is par Aap ﷺ ne farmaya:- " in me se Fatima ke liye khushbu khareedo, kyu'nki Fatima bhi khawateeno me se hai aur unke liye khushbu darkaar hoti hai"*
[9/13, 4:56 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Iske baad Aap Hazrat ﷺ ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se farmaya: -"Fatima ki Rukhsati ke liye makaan ki taiyyari ki jaye"*
*"_Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hain:- "Humne is kaam ki tayyari shuru ki, waadi e Batha se achhi qism ki mitti mangwayi, isse makaan ko leepa pota aur saaf kiya, phir humne apne haatho'n se khajoor ki chhal durust ki, inse 2 gadde taiyyar kiye, khurma aur munaqqa se Khuraak tayyar ki, peene k liye sheeri paani muhaiyya kiya, phir is makaan ke kone me ek lakdi gaad di taki is par mashkiza aur kapde latkaye ja sake."*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hain:- "Fatima ki Shadi se behtar humne koi Shadi nahi dekhi _," (Ibne Maaja)"*

*★_ Aap Hazrat ﷺ ne jahez me Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko ek badi chaadar, aur chamde ka ek takiya diya, jo khujoor ki chhal ya azkhar se bhara tha. Azkhar khusbudaar ghaa'ns ko kehte hain, Aata peesne ke liye ek chakki, ek mashkiza, aur 2 ghade diye _,*

*★_ Aap Hazrat ﷺ ne Apni Pyari Beti ko bas ye samaan diya. Ye bhi isliye k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bahut gareeb the. inke paas ghardari ka koi samaan tha hi nahi. Lihaza isse maruja Jahez ka jawaz sunnat hona Sabit nahi hota. Ummat ke liye ye saada aur Mukhtasar samaan hamare liye ek namuna hai aur hume ye sabaq de raha hai k asal cheez fikre Akhirat hai aur ye zindgi aarzi hai.*
[9/13, 5:11 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jab ye tayyariya'n mukammal ho chuki to Aap Hazrat ﷺ ne Allah ke hukm ke mutabiq Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ka Nikah Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se kar diya. Mehar 400 miskhaal muqarrar farmaya. Nikah me Hazrat Abu Bakar Siddiqu, Hazrat Umar, Hazrat Usmaan Raziyallahu Anhum, aur Bade sahaba ne shirkat ki. Ye Hazraat is Nikah ke gawah the. Nikah ki taqreeb bilkul saada thi, kisi qism ke takallufaat nahi barte gaye. Koi Rusumaat nahi ki gayi.*

*★_ Nikah k baad Huzoor Kareem ﷺ ne Apni Dukhtar ko Bibi Umme Ayman Raziyallahu Anha ke saath Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke ghar rawana farmaya. Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Hazrat Umme Ayman Raziyallahu Anha ke saath paidal chal kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke ghar tak gayi'n, Kisi Doli ya sawari ka intezaam nahi kiya gaya.*

*★_ Baaz riwayaat me ye bhi hai k, Nikah Ramzan 2 Hijri me hua aur Rukhsati Maahe Zilhijja 2 Hijri me hui. Us waqt Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki umar 15 saal 5 maah thi, jabki Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki umar 21 baras thi _," ( Qurtubi)*

*★_ Aap Hazrat ﷺ ne zindgi guzarne ka zaabta in Alfaz me bayaan farmaya tha: - "Fatima ghar ke andar ke kaam sar-anjaam de'ngi aur Ali Al Murtaza ghar ke Bahar ke kaam karenge_,"*
[9/15, 6:32 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Wo Islam ka ibtidayi Daur tha. Musalmano ko Mushriko ke muqable me futuhaat hone lagi thi. Laundiya'n aur Gulam in futuhaat me Aate the. Ye Musalmano me taqseem kiye jate the. Ek martaba Nabi e kareem ﷺ ki khidmat me kuch gulaam aye. Is moqe par Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se farmaya: -"Aap Nabi e Kareem ﷺ ki khidmat me ja kar ek Gulam ka mutalba kare'n, jo gharelu kaam kaaj me Aapki madad kar sake, is tarah Aap zehmat se bach jayengi"*

*★_ Is par Aap Huzoor Nabi kareeem ﷺ ki khidmat me aayi'n, Us waqt waha'n kuch log baithe the_ Aap unse guftugu me masroof the. Ye dekh kar Sayyda Fatima Raziyallahu Anha waapas laut gayi'n. Iske baad Nabi Kareem ﷺ khud Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke ghar tashreef laye. Us waqt Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bhi ghar me mojood the. Aap ﷺ ne irshad farmaya:- "Fatima ! Aap mere paas Aayi'n thi, us waqt kya kehna chahti thi'n."*

*★_ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko sharm mehsoos hui aur AAP kuchh na keh saki'n. Us par Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne arz kiya:- "Allah ke Rasool! Mai'n arz karta hun, Fatima ghar ka kaam khud karti hai'n, Chakki peesti hai'n to unke hatho'n me gatte pad jate hai'n, paani lane k liye mashkiza khud uthati hai'n, iski wajah se jism par nishan pad gaye hai'n, Aapki khidmat me kuch gulam Aaye to mai'ne hi inse kaha tha k Aapse ek Gulam maang le'n taki Aap mashakkat se bach jaye'n _,"*

*★_ Ye sun kar Aan Hazrat ﷺ ne farmaya:- Ey Beti ! tumhe Apne kaam khud karne chahiye, Mai'n tumko wazeefa batata hu'n, Jab Raat ko sone lago to ye padh liya karo. 33 baar SubhaAllah 33 baar Alhamdulillah aur 34 baar Allahu Akbar"*

*★_ Ye sun kar Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ne arz kiya:- "Mai'n Allah aur uske Rasool se Raazi hu'n"*
*"_ Aan Hazrat ﷺ ne musalmano ke Halaat behtar hone par Aapko baad me ek khadim inayat bhi kar diya tha.*
[9/16, 4:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 3 hijri me Gazwa Uhad pesh Aaya. Gazwa e Badar me badtareen shikasht k baad Mushrikeen ne is martaba zabardast taiyyariya'n ki thi. Is jung me shuru me musalmo'n ko fatah naseeb hui lekin chand musalmo'n ki galti se jung ka paasa palat gaya. Musalman mushkil haalat me ghir gaye. Khud Aan Hazrat ﷺ ko Mushriko ne apne ghere me le liya. Aapke dandane mubarak ko nuqsaan pahuncha. Hazrat Ali Raziyallahu Anhu paani laye aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Zakhmo ko saaf karne lagi'n. Khoon na ruka to Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne ek chatayi jala kar uski raakh zakhm par rakhi, tab khoon ruka. (Bukhari)*

*★_ Nabi Kareem ﷺ Apne Sahaba ke saath ek mayyat ko dafan karne ke liye gaye, jab dafan se farigh hue to Aap Hazrat ﷺ wapas hue to Sahaba Kiraam bhi sath the. Jab Aap ghar ke qareeb pahunche to samne se ek khatoon Aati nazar ayi. Ye Sayyada Fatimatuz Zohra Raziyallahu Anha thi'n. Aapne unse puchha: "Beti ghar se bahar kis liye gayi thi?"*
*"_Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ne arz kiya: -"Fala'n ghar me ek maut ho gayi hai, Taziyat ke liye gayi thi, unke haq me dua kar ke Aayi hu'n_,"*

*★_ Qurbani ke din the, Aan Hazrat ﷺ ne Apni pyari Beti Sayyada Fatima Raziyallahu Anha se farmaya: -"Tum apni Qurbani k zibah ke waqt uske paas khadi raho aur use dekho"*
*"_Saath hi Aapne farmaya:- "Qurbani ke khoon ke har Qatre ke badle me tumare Gunaah maaf hote Hai'n."*
*"_us waqt Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne farmaya:-"Ey Allah ke Rasool ! kya ye masla sirf hamare liye khas hai ya hamare aur tamam musalmano ke liye hai_".*
*"_ Aap ﷺ ne irshad farmaya:- "ye hamare liye aur tamam musalmano ke liye hai" (Al fattah Al rabbani: 13/59)*
[9/17, 8:20 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jis Roz Makka fatah hua (yani 8 Hijri me) to Umme Haani Raziyallahu Anha Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hui'n. Aap ﷺ us waqt Gusl farma rahe the, Chasht ka waqt tha aur Hazrat fatima Raziyallahu Anha Aapke liye kapde se parda kiye hue thi'n. Umme Haani Raziyallahu Anha ne Salam kiya to Aapne Puchha:- "Kon Aayi hai'n"*
*"_ Hazrat Umme Haani Raziyallahu Anha ne arz kiya:- "Allah ke Rasool ! Ye Mai'n hu'n Umme Haani"*
*"_Gusl se faarig hone ke baad Aap Hazrat ﷺ ne Chasht ki 8 raka'at ada farmayi'n_," (Sannan Daarmi: 177)*

*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se kisi ne Qurbani k gosht ka masla Puchha, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya:- "Nabi Kareem ﷺ ne pehle Qurbani ka gosht bacha kar rakhne se mana farmaya tha, magar baad me Aapne use bacha kar rakhne ki ijazat de di aur waqiya is tarah pesh aya k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu kisi safar se ghar tashreef laye to Hazrat fatima Raziyallahu Anha ne Qurbani ka paka hua gosht pesh kiya. Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se puchha:- "Kya iske khane se Nabi Kareem ﷺ ne mana nahi farmaya tha?"*

*"_ Phir Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ye masla khud Aan Hazrat ﷺ se daryaft kiya to Aap ﷺ farmaya:- "Qurbani ka gosht Saal bhar khaya ja sakta hai" (Musnad -e- Ahmad: 6/282)*
[9/18, 12:28 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi Kareem ﷺ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke paas tashreef late to wo ahtaram se khadi ho jati'n, Aap ﷺ ke haath mubarak ko choom leti'n aur Apni jagah Aap ﷺ ko bithati, isi tarah jab Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aap ﷺ ki khidmat me haazir hoti'n to Aap ﷺ khade ho jate aur Bosa dene k liye unke haath pakad lete, phir apni jagah Aapko bithate.*

*★_ Is se maloom hua, Aan Hazrat ﷺ Apni Sahabzadiyo'n par nihayat meharbaan the, unse betahasha Mohabbat karte the. Unka bahut khayal rakhte the.*

*★_ Aap ﷺ Duniya ki zaibo zeenat pasand nahi farmate the aur sirf Apne liye hi nahi, apni Aulaad ke liye bhi pasand nahi farmate the.*

*★_ Ek Roz Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ne Aap ﷺ ko khane par bulaya. Aap ﷺ tashreef laye. Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ne ghar me naqsho nigaar wala ek parda latka rakha tha. Use dekh kar Aap ﷺ darwaze par hi thehar gaye. Andar tashreef na laye aur Waapas laut gaye. Ye dekh kar Sayyada Aap ﷺ ke pichhe chal padi'n aur Aapke nazdeek pahunch kar arz kiya:-"Allah ke Rasool ! Aap Waapas kis liye ja rahe hain?"*
*"_Jawab me Aap ﷺ ne farmaya:- "Paighambar ke liye ye munasib nahi k Ese makaan me dhakhil Ho'n jo Naqsho nigaar se sajaya gaya ho_,"*
[9/18, 12:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Nabi kareem ﷺ ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se irshad farmaya:- "Ey meri Beti, jo muje mehboob hai, kya wo tume mehboob nahi?"*
*"_ Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ne arz kiya: - "Kyu nahi ! Jo Aapko mehboob hai wo muje bhi mehboob hai."*
*"_Ab Aap ﷺ ne farmaya:- tab fir Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ke saath Mohabbat rakhna, unse umda sulooq qaa'im rakhna_,"*

*★_ Fateh Makka ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Abu Jahal ki ladki se Nikah ka irada kiya. Is baat ki khabar Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko bhi ho gayi. Unhe shadeed ranj hua. Nabi kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hui'n aur ye baat Aapko batayi. Aap ﷺ ne Sahaba Kiraam ke saamne Khutba diya aur isme irshaad farmaya:-* *"Fatimah mere jism ka tukda hai, jisne unhe takleef pahunchayi usne muje bhi takleef pahunchayi. Jo cheez fatima ko buri lage wo cheez muje bhi napasand hai. Mai'n Apni taraf se Halaal ko Haraam nahi karta aur na kisi Haraam ko Halaal karta hu'n. Lekin Allah ki Qasam ! Allah ke Rasool ki Beti aur Allah ke Dushman ki Beti ek shakhs ke Nikah me jama nahi Ho'ngi_,"*
*"_ Is Khutbe ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne fauran Abu Jahal ki Beti se Nikah ka iraada tark kar diya_," (Bukhari 438/1)*

*★_ Ek roz Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha me kuch ranjeedgi ho gayi. Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne sakht lehje me Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ko kuchh keh diya. Is par Sayyada Fatima Raziyallahu Anha Aap ﷺ ki khidmat me Haazir hui'n aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shikayat ki. Is per Aap ﷺ ne unse irshad farmaya:- "Ey meri Beti ! Tumhe Apne khawind ki ita'aat aur farmabardari karni chahiye. Khawind ko tambih Vagera ka haq hota hai." (Tabqaat ibne Sa'ad 16/8)*

*★_ Apne marzul wafat me Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne bahut si wasiyate farmayi'n, bahut se farmaan jaari kiye. Un par amal karne ki poori ummat ko takeed farmayi. Is mauqe par Aap ﷺ ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha aur Apni Phuphi Hazrat Safiya Raziyallahu Anha ko ye wasiyat farmayi:-*
*"_Ey Fatima aur Ey Safiya ! Allah Ta'ala ke Yaha'n jo hisaab kitaab liya jayega uski tayyari karo. Mai'n Allah ke Yaha'n hisaab kitaab me tumare kaam nahi Aaunga _,"*

*★_ Is wasiyat se Aap ﷺ ki muraad ye thi k hasab nasab par bharosa kar ke A'maal me kotaahi karna durust nahi. Baqi raha safa'at ka masla, wo Apne muqam par bilkul durust hai, Wo Allah ke hukm se hongi.*
[9/20, 5:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ke Aakhri din the, Aap ghar me tashreef farma the. Azwaaj e Mutahraat jama thi'n, Ese me Hazrat Fatima Raziyallahu Anha tashreef le ayi'n. Us waqt Aap ﷺ ki Aulaad me se Sayyada fatima Raziyallahu Anha hi zinda thi'n. Unke chalne ka andaz Aap ﷺ ke muwafiq tha. Aap ﷺ ne unhe Aate hue dekha to marhaba farmaya aur Apne paas bitha liya. Phir Aap ﷺ ne sayyada Fatima ke kaan me kuchh kaha. wo is baat ko sun kar besakhta rone lagi'n, Jab Aap ﷺ ne unki gamgeengi dekhi to Phir unke kaan me kuchh farmaya, Wo ye sun kar ha'sne lagi'n _,*

*★"_Jab Nabi Kareem ﷺ us majlis se tashreef le gaye to Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Sayyada Fatima Raziyallahu Anha se puchha:- "Allah ke Rasool ne Aapke kaan me kya kaha tha?"*
*"_Jawab me Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne farmaya:-"Mai'n Rasoole Akram ﷺ ki Raaz ki Baat ko Zaahir nahi karna chahti"*

*★_ Uske baad jab Aap ﷺ ka inteqal ho gaya, to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se kaha: "Mai'n Aapko us Haq ka waasta de kar kehti hu'n, jo mera Aap par hai, mujhe wo Baat zaroor bata de'n jo Nabi e Akram ﷺ ne Aapke kaan me kahi thi."*
*"_Jawab me Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne farmaya:- "Pehli martaba, Nabi e Akram ﷺ ne mere kaan me farmaya tha k Jibrai'l Alaihissallam har saal ek martaba Aakar qura'an e Majeed ka wird karte the, yani k muje qura'an sunate the aur mujhse sunte the, is martaba unhone 2 baar mujhe qura'an e Majeed sunaya aur suna. Isse Mai'n yahi khayal karta hu'n k Meri wafaat qareeb aa gayi hai. Ey Fatimah! Allah se khauf khana aur sabr karna. Mai'n tumhare liye Behatreen pesh ru hu'nga"*

*"_Ye sun kar Mai'n rone lagi. Jab Nabi e Akram ﷺ ne mujhe rote dekha, meri ghabrahat aur pareshani ko dekha to dobara sargoshi ki aur farmaya:-*
*"Ey Fatima ! tumhe ye Baat pasand nahi k tum Ahle Jannat ki Aurato'n ki sardar ho ya momino ki Aurto'n ki sardar Ho'n?"*

*★_ Ek dusri Rivayat ke mutabiq Nabi e Akram ﷺ ne farmaya tha: -*
*"Ey Fatima ! tum meri Ahle Bayt me se pehli shakhsiyat ho jo mere pichhe ayegi, (Yani sabse pehle tumari wafaat hogi aur tum mujhse milogi ) Ye sun kar Mai'n ha'sne lagi,*
[9/21, 6:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Phir Rasoole kareem ﷺ ka inteqal ho gaya. Sayyda Fatima Raziyallahu Anha ranjo gam ki kaifiyat me Kehne lagi'n:-*
*"Ey Abba jaan ! Aapne rab ki dawat Qubool ki, Ey Abba jaan! Jannatul firdaus Aapka thikana hoga."*

*★_ is k baad Aan Hazrat ﷺ ke kafan dafan ke marahil guzre aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke hujre Mubarak me dafan hue. Us waqt Sayyda Fatima Raziyallahu Anha Nabi e kareem ﷺ ke khadim Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se puchhne lagi'n: "Ey Anas ! Aan Hazrat ﷺ ke jism Mubarak par mitti daalna tum Logo'n ko kis tarah gawarah hua ?" (Miskaat, daarmi)*

*★_ Aap ﷺ ne Apne Aakhri auqat me Sayyda Fatima Raziyallahu Anha ko Bahut si wasiyate'n farmayi'n, isme se khaas tor par ek ye thi:-*
*"Ey Fatimah ! Jab mera inteqal ho jaye to meri wajah se (Mere gam me) Apne chehre ko na chheelna, Apne balo'n ko na pareshan karna aur wawela na karna, aur mujh par noha aur bain na karna aur na hi bain karne waliyo'n ko bulana" (Banate Arbah:- Maulana Muhammad Na'fe)*

*★_ Nabi Kareem ﷺ k wisaal ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu khalifa muqarrar hue. Tamam Sahaba ne Aapki khilafat ko tasleem kar liya aur Hazrat Abu Bakar Siddiq khilafat ke fara'iz Sar Anjaam dene lage. Aap hi Musalmano ko 5 waqt ki Namaz padhaya karte the aur Madina Munawwara ke tamaam Sahaba Kiraam inke pichhe Namaz Ada karte the.*
[9/22, 6:23 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Un dino me Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha apna ek mutalba le kar Hazrat Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki khidmat me Aayi'n. Aapne Siddique Akbar se kaha: "Hume baage fadaq, khaibar ki jaydaad, aur amwale Madina me se hamara Haq e wirasat diya jaye, yani in jaydaado'n ka hume waaris bana diya jaye"*

*★_ Ye hissa Chu'nki Aan Hazrat ﷺ ka tha isliye Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ne ye mutalba kiya, is mutalbe ke jawab me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne irshad farmaya:-* 
*"Rasoole kareem ﷺ ka farman hai k hum Ambiya ki Maali wirasat nahi chalti aur jo kuchh hum chhod jaye'n wo Allah ke raaste me waqf hai aur sadqa hota hai, Baqi Aap Hazraat ko jo haq in Amwaal me se Aan Hazrat ﷺ ke daur me milta tha wo ba-dastoor diya jayega aur isme hum kisi qism ka tagayyur v tabaddul nahi karenge aur usi tariqe se adaygi karenge jis tarah Nabi Akram ﷺ jaari kiye hue the"*

*★_Is moqe par Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu aAnhu ne irshad farmaya:-* 
*"Allah ki qasam ! jiske qabze me meri jaan hai, Nabi Kareem ﷺ ki qarabatdaari mujhe Apni qaratdaari se zyada aham hai aur Aan Hazrat ﷺ k rishtedaaro'n ka lihaaz mujhe Apne rishtedaaro'n ke lihaaz se zyada hai"*

*★_ Aapka matlab ye tha k maali haq Aapka ada kiya jata rahega jese Aan Hazrat ﷺ ke zamane me ada kiya jata tha. Maal ka waaris Aapko nahi banaya jayega kyu'nki Nabi kareem ﷺ ka farmaan yahi hai. (Bukhari Shareef)*
 
*★_ Chuna'nche Teeno khulfa ke daur me ye haq in Hazraat ko usi tarah milta raha jis tarah Ye Huzoor ﷺ ke zamane me mila karta tha. Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi apne daur me ye masla isi tarah rakha.*
[9/23, 7:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Is silsile me jo log ye kehte Hai'n k Sayyda ko Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ka ye faisla na gawar guzra tha aur Sayyda Fatimah Raziyallahu Anha ne fir tamam Zindgi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se baat nahi ki, Ye durust nahi hai. In Hazraat ne is faisle ko bakhushi Qubool kiya tha kyu'nki haq baat thi bhi yahi.*
*"_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ke darmiyan koi nakhushgawari nahi thi jesa k darje zail waqiye se sabit hai.*

*★_ Ek Roz Sayyda Fatimah Raziyallahu Anha Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Yaha'n tashreef le gayi'n, waha'n dono ke darmiyan guftugu hui, is guftugu ke dauran Sayyada Fatimah Raziyallahu anAnhaha ne Hazrat Abu Bakar Siddiq se kaha:-*
*"Nabi Kareem ﷺ ne mere haq me basharat farmayi thi k - Aap ﷺ ke baad Aapke ahle Bait me pehli shaksiyat Mai'n ho'ungi jo Aapke saath ja milungi.(Yani Ahle Bayt me se Aap ﷺ ke baad sabse pehle me is duniya se ruksath ho'ungi )_," ( Musnad Ahmad )"*

*★_ Umama binte Abul Aas, Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ki beti, aur Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ki sagi bhaanji thi'n. Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Umama Raziyallahu Anha k bare me wasiyat farmayi:-*
*"Mere baad agar AAP Shadi karna chahe'n to meri bhaanji Umama ko Nikah me le lein"*
*"_Chunache Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ke wafaat ke baad jab Umama Raziyallahu Anha badi ho gayi'n to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne unse shadi ki_,*
[9/24, 6:17 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ki wafaat k baad Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha Had darje gamgeem rehne lagi thi'n, Aapki umr us waqt 28-29 bars ki thi. Aap ki Aulaad Bete Betiya'n abhi kam umr the. Aapki timaardaari ke liye Hazrat Asma binte Umais Raziyallahu Anha tashreef lati, ye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu k zauja mohtarma thi'n,* 

*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke daur me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu paa'ncho namaze'n ba Jama'at Masjide Nabwi me ada farmate the. ek Roz jab ye Hazraat Namaz se farigh ho chuke to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se kaha:- "Nabi e kareem ﷺ ki Sahabzaadi Sayyada Fatimatuz Zohra Raziyallahu Anha ka kya haal hai aur unka mizaaj kesa hai ?" ( Kitaab Sulem bin Qais )*
*"_Is Rivayat se bhi yahi saabit hai k in Hazraat ke Aapas me bahut khushgawar talluqaat the.* 

*★_ Nabi e kareem ﷺ ke wisaal ke 6 maah baad Sayyada Fatimatuz Zohra Raziyallahu Anha Bimaar hui'n aur chand Roz baad Ramzanul Mubarak 11 Hijri me mangal ki shab Aapka inteqal hua.Us waqt Aapki Umre Mubarak 28-29 saal thi. Sayyada Fatimatuz Zohra Raziyallahu Anha Nabi e kareem ﷺ ki Barahe Raast Aakhri aulaad thi'n jinka inteqal hua. Sayyada ke baad bila waasta koi Aulaad Duniya me na rahi. Ye Aap ﷺ ki Aakhir nishani thi'n, ye bhi Allah ke Yaha'n pahu'nch gayi'n,*
*"_Inna lillaahi wa inna ilaihi raaji'oon_,*

*★_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ke inteqal par Madina Munawwara ke Logo'n ke gam ki inteha na rahi. Sahaba Kiraam isiliye bhi had darje gamgeen the k unke Mehboob Nabi kareem ﷺ ki bila waasta Aulaad ka silsila bhi Sayyada ki wafaat par khatam ho gaya tha. Ab Aan Hazrat ﷺ ki nishani Azwaaj Mutahraat reh gayi thi'n.*
[9/25, 6:39 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada fatimatuz Zohra Raziyallahu Anha ka inteqal magrib aur Isha k darmiyani waqt me hua. Aapne wafaat se Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki zauja mohtarama Asma binte Umais Raziyallahu Anha ko wasiyat ki thi k Aapko wo gusl de'n. Chuna'nche Hazrat Asma binte Umais Raziyallahu Anha ne Aapko gusl diya. Unke saath GusL me chand aur Bibiyo'n ne bhi shirkat ki. Hazrat Ali Almurtaza Raziyallahu Anhu is sare kaam ki nigrani karte rahe.*

*★_ Gusl aur kafan ke baad Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ki Namaze janaza ka marhala pesh Aaya. Namaz e janaza k liye Khalifa e Awwal Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu, Hazrat Umar aur digar hazraat jo us waqt mojood the, sab tashreef le aye. Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne farmaya:-*
*"Aage tashreef la kar janaza padhaye'n."*
*"_Jawab me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne arz kiya:- "Aap Khalifa e Rasool ﷺ hai'n. Aapki mojoodgi me mai'n namaz e janaza nahi padha sakta, namaz e janaza padhana Aap hi ka haq hai, Aap tashreef laye'n aur namaz e janaza padhaye'n"*

*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Aage tashreef le aye, Aapne 4 takbeer ke saath namaz e janaza padhayi. Baqi tamam Hazraat ne inki Iqteda me namaz ada ki. (Tabqaat ibne saad - 8/19)*

*★_ Namaz e janaza ke baad Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ko Raat ke Waqt hi Jannatul Baqi me dafan kiya gaya. Dafan karne ke liye Hazrat Ali, Hazrat Abbas aur Fazal Bin Abbas Raziyallahu Anhum qabr me utre. (Al Asaba)*
[9/25, 7:15 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek marata Hazrat Ali Raziallahu Anhu ne Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ko sone ka haar diya. Aap ﷺ ko maloom hua to farmaya:- "Kyu Fatimah ! kya Logo'n se kehalwana chahti ho k Rasulallah ki ladki aag ka zevar pehanti hai_"*
*"_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ne foran us haar ko bech kar ek Gulam khareed liya.*

*★_ Ek Roz Aan Hazrat ﷺ kisi gazwa se waapas tashreef laye. Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ne istaqbal ki niyat se ghar k darwaze par parde lagwa diye. Aap ﷺ tashreef laye to, ghar k andar duniyavi saaz o samaan dekh kar darwaze se hi wapas palat gaye. Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ko Nabi Kareem ﷺ ki narazgi ka haal maloom hua to parde chaak kar diye.*

*★_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha had darje hayadaar thi'n. Ek martaba Aap ﷺ ne unhe bulwaya to wo sharm ki wajah se ladkhadati hui aayi'n. Apne janaze par parda karne ki wasiyat bhi isi bina par ki thi.*
*"_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n:- "Maine Fatimah Raziyallahu Anha se zyada kisi ko saafgo nahi dekha, Albatta unke Waalid unse Saafgo the."*

*★"_ Sayyada ko Aap ﷺ se betahasha mohabbat thi. Jab Chhoti thi'n to Quresh ne Ek martaba Aap ﷺ ki kamar mubarak par Oo'nt ki ojhdi rakh di. Aap ﷺ us waqt Namaz me the, ye gandi harkat karne ke saath hi Quresh ha'nsne lage, ha'nste jate the aur ek doosre par girte jate the. Esi haalat me Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ko kisi ne khabar di. Inki umr us waqt 5 - 6 saal thi, lekin mohabbat ke josh me daudi hui aayi'n aur us bojh ko hata kar quresh ko bad duae'n dene lagi'n,*

*★_ Aap ﷺ bhi Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha se betahasha mohabbat karte the. Safar me jate to Sabse Aakhir me Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha se milne ke liye tashreef laate. Waapas Aate to Sabse pehle inhi se milte.* 
*"_ Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha Aap ﷺ se milne aati to Aap ﷺ uth kar khade ho jate the. Unhe apni jagah bithate. Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha me Hazrat Ali Raziallahu Anhu me kabhi narazi ho jaati to Aap ﷺ tashreef laate aur dono me sulah karwa dete aur sulah karwa kar bahut khush hote.*
*"_Allah Ta'ala ki Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha par Karodo Rehmate Ho'n. Ameen.*

*"_ Alhamdulilah Posts Mukammal hui'n, Likhne me aur Post karne me Jo Kami Kotahiya'n aur Jo Galtiya'n Humse Hui'n Allah Ta'ala Use Maaf farmaye (Aameen)*
[9/27, 6:41 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada Fatima Raziyallahu Anha ke Yaha'n jo Aulaad hui'n, unke naam ye hain:- Sayyadna Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu, Syyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu, Syyadna Hazrat Mohsin Raziyallahu Anhu (ye Teesre Sahebzaade bachpan me hi faut ho chuke the)*

*★_ Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu 15 Ramzan 3 Hijri me, Hazrat Hussain Raziyallahu Anhu Shaban 5 Hijri me paida hue.*

*★_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ke Yaha'n 2 Sahabzadiya'n: - Hazrat Zainab Raziyallahu Anha aur Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha paida hui'n,* 
*"_ Baaz Ulma ne ek Teesri Sahabzadi - Ruqayya ka bhi zikr kiya hai,*

*★_ Inme se Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha ka Nikah Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu se 17 hijri me aur Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ka Nikah Hazrat Abdullah bin Jaafar Tayyar Raziyallahu Anhu se hua tha. (Nasab Quresh- safa number 25)*

*★_ Sayyada Fatimah ka huliya Nabi Kareem ﷺ se milta julta tha. Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha farmati hain:-*
*"_ Fatimah Raziyallahu Anha ka labo lehja, uthna baithna bilkul Huzoor ﷺ ki tarah tha, Aap baat cheet bhi Aap ﷺ ki tarah kiya karti thi'n, Aap ki chaal bhi Rasoole kareem ﷺ ki chaal jesi thi_,".*

*★_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha Aan Hazrat ﷺ ki mehboob tareen aulaad thi'n. Aapne unke bare me irshad farmaya:- "Fatimah mere jism ka ek hissa hai, jo use naraaz karega wo mujhe naraaz karega"*
[9/28, 6:57 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek marata Hazrat Ali Raziallahu Anhu ne Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ko sone ka haar diya. Aap ﷺ ko maloom hua to farmaya:- "Kyu Fatimah ! kya Logo'n se kehalwana chahti ho k Rasulallah ki ladki aag ka zevar pehanti hai_"*
*"_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha ne foran us haar ko bech kar us Raqam se ek Gulam khareed liya.*

*★_ Hazrat Fatimah Raziyallahu Anha had darje hayadaar thi'n. Ek martaba Aap ﷺ ne unhe bulwaya to wo sharm ki wajah se ladkhadati hui aayi'n. Apne janaze par parda karne ki wasiyat bhi isi bina par ki thi.*
*"_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n:- "Mai'ne Fatimah Raziyallahu Anha se zyada kisi ko saafgo nahi dekha, Albatta unke Waalid unse Saafgo the."*

*★"_ Sayyada ko Aap ﷺ se betahasha mohabbat thi. Jab Chhoti thi'n to Quresh ne Ek martaba Aap ﷺ ki kamar mubarak par Oo'nt ki ojhdi rakh di. Aap ﷺ us waqt Namaz me the, ye gandi harkat karne ke saath hi Quresh ha'nsne lage, ha'nste jate the aur ek doosre par girte jate the. Esi haalat me Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha ko kisi ne khabar di. Inki umr us waqt 5 - 6 saal thi, lekin mohabbat ke josh me daudi hui aayi'n aur us bojh ko hata kar quresh ko bad duae'n dene lagi'n,*

*★_ Aap ﷺ bhi Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha se betahasha mohabbat karte the. Safar me jate to Sabse Aakhir me Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha se milne ke liye tashreef laate. Waapas Aate to Sabse pehle inhi se milte.* 
*"_ Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha Aap ﷺ se milne aati to Aap ﷺ uth kar khade ho jate the. Unhe apni jagah bithate. Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha me Hazrat Ali Raziallahu Anhu me kabhi narazi ho jaati to Aap ﷺ tashreef laate aur dono me sulah karwa dete aur sulah karwa kar bahut khush hote.*
*"_Allah Ta'ala ki Sayyada Fatimah Raziyallahu Anha par Karodo Rehmate Ho'n. Ameen.*

*"_ Alhamdulilah Posts Mukammal hui'n, Likhne me aur Post karne me Jo Kami Kotahiya'n Humse Hui'n Allah Ta'ala Use Maaf farmaye (Aameen)*

*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 162,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments