■ RAHMATULLIL AALAMEEN ﷺ ( Part-1) ■

 

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
    *■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
           *🌹صلى الله على محمدﷺ🌹* 
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                 *❀_ Sayyadna Muhammad ﷺ bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Haashim bin Abd E Munaaf bin Qusa'i hamare Nabi hai'n, Daada ne Aan Hazrat ﷺ ka naam Muhammad ﷺ aur Maa'n ne Khwab me ek Farishte se Basharat pa kar Ahmad rakha tha, Sayyada Aamna Bibi ko naam rakhne ki Basharat Farishte ki ma'arfat ese hi mili thi Jese k Farishte ki Basharat se Haajra Bibi ne Isma'iyl Alaihissallam ka naam aur Mariyam ne Isaa Alaihissallam ka naam rakha tha,*

*★_ Waaze ho k Nabi ﷺ ko hamd se khaas munasbat hai, Huzoor ﷺ ka naam "Muhammad" v "Ahmad" hai aur Huzoor ﷺ ke maqame Shafa'at ka naam "Mehmood" hai, Ummat Muhammadiya Ka naam "Hammadoon" hai aur Aan Hazrat ﷺ ke "Liva" ( Jhande) ka naam "Liva e Hamd" hai,*

*★_ Nabi Kareem ﷺ Hazrat Ibrahim Alaihissallam ( Khalilur Rahman v Abul Ambiya) ki aulaad Hai'n, Jo Haajra Bibi ke batan se hui, Haajra Badshah E Misr "Quyoon" ki beti thi, Allah ke Yaha'n Unka esa darja tha k Allah ke farishte unke Saamne aaya karte aur Allah ka Paigam pahunchaya karte they_,*

*★_ Haajra Bibi ke farzand ka naam Isma'iyl Alaihissallam hai, Jo Hazrat Ibrahim Alaihissallam ke bete hai'n, Baap ne unko Vaadi me us jagah Abaad kiya tha Jaha'n Ab Makka Muazzama hai, Allah ne Isma'iyl Alaihissallam ke liye Zamzam ka chashma zaahir kiya tha _,*
[10/1, 5:47 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Isma'iyl Alaihissallam ko Allah ne 12 bete diye they, Unme Qaidaar bahut Mash'hoor hue Hai'n, Tauraat me unka zikr Ba Kasrat aaya hai, Qaidaar ki Aulaad me Adnaan aur Adnaan ki Aulaad me Qusa'i bahut Mash'hoor hai'n Jo 4 Waaste se Nabi ﷺ ke Daada hai'n,*

*★_ Nabi ﷺ ki Maa'n Ka naam Aamna hai, Jo Wahab ki beti hai'n, Wahab Qabila Banu Zohra ka Sardaar tha, Unka Silsila Nasab Fahar Al Mulqab pe Quresh ke saath ja milta hai, isliye Nabi ﷺ Dadihaal aur Nanihaal me Arab ke Behatreen Qabila, Behatreen Qaum aur Shakh me se hai'n,*

*★_ Hamare Nabi ﷺ Mausam e Bahaar me Do Shamba ( Peer) ke din 9 Rabiul Awwal Aamul Feel, Ba mutabiq 22 April 571, Mutabiq Yakam Jeth 628 Sammat Bikrami ko Makka Muazzama me baad Az Subeh Sadiq v Qabl Tulu Aftaab paida hue, Huzoor ﷺ Apne Walden ke iklote bachche they, Walid buzurgwaar ka Aan Hazrat ﷺ ki paidaish se pehle inteqal ho gaya tha,*

*★_ Nabi ﷺ ki mubarak Zindgi me Do Shamba ( peer) ka din Khususiyat rakhta hai, Wiladat Nabuwat Hijrat Wafaat sab isi din hui hai, Isse mukhtalif Tareekho ko Taa'in badi madad milti hai, Tareekh e Wiladat me Mo'rkheen ne ikhtilaf kiya hai, Tibri v ibne Khuldoon ne 12 Tareekh likhi hai, Magar Sabka ittefaq hai k Do Shamba ka din tha, Chu'nki Do Shamba ka din 9 Rabiul Awwal ke siwa kisi aur Tareekh se mutabqat nahi khata hai, Tareekhe Arabul islam me bhi 9 Tareekh ko sahi qaraar diya hai, Waqia Aamul Feel ke 55 Yaum baad _,*
[10/2, 6:36 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abul Muttalib Aan Hazrat ﷺ ke Daada ne Khud bhi Yateemi ka Zamana dekha hua tha, Aap 24 Saala Naujawan Farzand Abdullah ki is yadgaar ke paida hone ki khabar sunte hi ghar me aaye aur Bachche Ko khana Kaaba le gaye aur Dua maang kar waapas laye, Saatve din Qurbani ki aur Tamaam Quresh ko Dawat di, Dawat kha kar logo ne puchha k Aapne Apne Bachche ka naam kya rakha ? Abdul Muttalib ne kaha - Muhammad ( ﷺ ),*

*★_ Muhammad ( ﷺ) naam rakha gaya, Qaum ne is naam per Tajjub kiya, Logo'n ne Tajjub se puchha k Aapne Khandaan ke sab maruja naamo ko chhod kar ye naam kyu rakha, Kaha - Mai'n Chahta hu'n k mera Bachcha Duniya bhar ki Sata'ish ( Shohrat, Tareef) aur Tareef ka Shaya'n ( Layaq) qaraar paye ,*

*★_ Ayyame Raja'at :- Shurfa E Makka ka dastoor tha k Apne Bachcho Ko jabki wo 8 din ke ho jate they Doodh pilane Waliyo'n ke supurd kar ke kisi achchhi Aabo Hawa ke muqaam per bahar bhej diya karte they, is dastoor ke mutabiq Aan Hazrat ﷺ ko bhi Halima Sa'diya ke supurd kar diya gaya, Wo Har Chhate mahine la kar unki Walda v digar Aqraba ko dikhla jati thi'n, 2 baras ke baad Aapka doodh chhudaya gaya, Maa'i Halima Aap ﷺ ko le kar Hazrat Aamna ke paas Aayi'n, Hazrat Aamna ne is khayal se k ( Waha'n ki Aabo Hawa Huzoor ﷺ ke khoob muwafiq thi aur ) Shayad Makka ki Aabo Hawa muwafiq na ho, fir Maa'i Halima hi ke supurd kar diya,*

*★_ Walda Mukarrama Ka inteqal :- Jab Aan Hazrat ﷺ ki Umr 4 baras ki hui to Walda Mukarrama ne Aan Hazrat ﷺ ko Apne paas rakh liya, jab Aan Hazrat ﷺ ki Umr 6 baras ki hui to Walda ka inteqal ho gaya aur Daada ne Aapki Parwarish aur nigrani Apne zimme li, Jab Aan Hazrat ﷺ ki Umr 8 baras ki hui to Aapke Daada Abdul Muttalib ne 82 Saal ki Umr me wafaat payi,*

*★_ Abu Taalib ki Tarbiyat :- Abu Taalib Aan Hazrat ﷺ ke Taaya they aur Aapke Waalid Abdullah ke Haqeeqi Bhai , ab Wo Aan Hazrat ﷺ ki nigrani aur Tarbiyat ke Zimmedar bane ,*
[10/3, 6:56 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Bahira Raahib se mulaqat:- Aksar kitabo'n me bayan Kiya gaya hai k Aan Hazrat ﷺ Jab 12 saal ke hue To Apne taya Abu Taalib ke saath jabki wo tijarat e Shaam ko jaate the, safar me gaye, Basra me Bahira Raahib ne Aan Hazrat ﷺ ko pahchan liya k Nabi Mo'uod Yahi naujawan Hai'n, Usne Abu Taalib Se kaha k ise Yahoodiyo'n Ke Mulk me na le ja'o, wo ise pahchan kar kahi'n Nuqsan na pahunchaye, Shafeeq Taya ne Aan Hazrat ﷺ ko Basra hi Se wapas Kar diya,*

*★_ Is bare me jo Hadees Tirmizi Vagira me hai usme ye bhi hai k Taya ne wapas karte waqt Aan Hazrat ﷺ ke saath Bilaal Raziyallahu Anhu ko bheja tha, Ibne Qayyim Rehmatullah kehte Hai'n k Ye Sareeh Galti hai, Avval to us Waqt Bilaal Raziyallahu Anhu na Abu Taalib ke paas they, na Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke pass, Doosre ye bhi Mumkin hai k Wo Un Dino mojood hi Na Ho'n _,* 

*★_ Qur'an Majeed ki Aayat (Surah Al Baqrah- 89) :- ye log Nabi Ke aane Se pehle kaafiro per fatah Uske zariye pane ki aarzoo me raha karte they, Jab Nabi Zaahir hua Aur unhone pahchan bhi liya tab usse munkar Ho baithe_,"*
*"_is Aayat se Saabit hai ki yahoodi Rasool e Mo'uod Ke intezar me raha karte they aur samajhte they k Uske aane per Yahoodiyo'n ko kaafiro per fatah v Nusrat hogi, ye aitqaad Unka us Waqt Tak raha jab tak Huzoor ﷺ Ki Baisat Na Hui, is Aayat se ye bhi Saabit ho gaya k Bahira Raahib ka qaul galat tha, Kyu'nki Agar yahoodi us ladakpan me Aan Hazrat ﷺ ko pehchan lete to Apne Aitqaad ke mutabiq Huzoor ﷺ ko Apni Fateh v Nusrat Ka Devta samajhkar nihayat khidmat guzari karte, Natija ye hai k Raahib Ki Daastan naqabile aitbaar hai _,"*
[10/4, 6:36 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Tijarat Ka khayal:- Nabi Kareem ﷺ jawan hue to Aapka khayal pehle Tijarat Ki taraf hua, Magar rupiya paas Na tha, Makka me nihayat Shareef Khandaan ki ek Beva Aurat Khadija Raziyallahu Anha thi'n, Wo bahut maaldar thi'n, Apna rupiya Tijarat me lagaye rakhti thi'n, Unhone Aan Hazrat ﷺ ki khoobiya'n aur unke Ausaaf sunkar aur Aapki saccha'i, Dayanatdari, Saliqa Sha'ari Ka haal maloom karke khud darkhwast kar di k Unke rupiya se Tijarat Kare'n, Aan Hazrat ﷺ Unka maal lekar gaye, is Tijarat me bada nafa hua,*

*★_ Is safar me Khadija Raziyallahu Anha Ka Gulam Maysrah bhi Aan Hazrat ﷺ ke saath tha, Usne Aan Hazrat ﷺ ki un tamam khoobiyo'n aur buzurgiyo'n Ka Zikr Khadija Raziyallahu Anha ko sunaya jo safar me Khud dekhi thi, Un Ausaaf ko sunkar Khadija Raziyallahu Anha ne darkhwast karke Aan Hazrat ﷺ ke saath Nikah kar liya, Hala'nki Khadija Raziyallahu Anha isse pehle bade bade Sardaaro'n ki darkhwast Nikah ko kar Radd kar chuki thi'n,* 

*★_ Nikah:- Jab ye Nikah hua to Aan Hazrat ﷺ Ki Umr 25 saal aur Khadija Raziyallahu Anha ki Umr 40 sal ki thi, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aan Hazrat ﷺ ke Nikah me 25 saal Tak Zinda rahi'n, Aan Hazrat ﷺ Unki wafaat ke baad bhi aksar Unka Mohabbat Se Zikr Kiya karte they aur Unki saheliyo'n se bhi izzat aur Shafqat ka bartaav Kiya karte they, is shaadi ke baad Aan Hazrat ﷺ ka Tamaam waqt Allah Ki ibadat aur Bani Aadam ki Bahbood v Khayr Andeshi me poora hua Karta tha,*
[10/5, 6:06 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Qayaame Aman v nigrani Huqooq Ki Anjuman Ka in'aqad:- Unhi dino me Aan Hazrat ﷺ ne Aksar Qabilo ke Sardaaro'n aur Samajhdar Logo'n ko mulk ki be Amani, Raasto ka khatarnak hona, Musafiro ka lutna, Garibo per Zabardasto ka zulm bayan kar ke in sab baato ki islah per tavajjo dilayi, Aakhir ek Anjuman qaa'im ho gayi Jisme Banu Hashim, Banu Muttalib, Banu Asad, Banu Zohra, Banu Tameem Shamil they,*

*★_ Is Anjuman ke Membar Mindarja Zail Ahado qaraar kiya karte they:- (1) Hum Mulk se be Amani door karenge, (2) Hum Musafiro ki hifazat kiya karenge, (3) Hum gareebo ki imdaad karte rahenge, ( 4) Hum Zabardast ko Zairdast per zulm karne se roka karenge,*
*"_ Is Tadbeer se Bani Aadam ke Jaan v Maal ki bahut kuchh hifazat ho gayi thi, Aan Hazrat ﷺ Apne Nabuwat ke zamane me bhi farmaya karte they k Agar Aaj bhi koi us Anjuman ke naam se kisi ko madad ke liye bulaye to Mai'n Sabse pehle uski imdaad ko tayyar paya jaunga _,"*

*★_ Mulk ki taraf se "Saadiq" v "Ameen" ka naam Aan Hazrat ﷺ ko milna :- Ese hi nek kaamo ki vajah se un dino logo ke dilo me Aan Hazrat ﷺ ki neki aur buzurgi ka itna asar tha k Wo Aan Hazrat ﷺ ko naam le kar nahi bulate they balki "Al Sadiq" Ya "Al Ameen" keh kar pukara karte they,*
*"_ Aan Hazrat ﷺ ki Umr 35 Saal ki thi jab Quresh Kaaba ki imaarat ko ( Jiski Diwaare Sailaab ke sadme se fat gayi thi'n ) Az sire no tayyar kiya, Imaarat ke banane me to Sab hi Shamil they magar Jab Hajre Aswad ke qaa'im karne ka moqa aaya to Sakht ikhtilaf hua, Kyu'nki har ek Yahi chahta tha k ye kaam usi ke haatho se sar Anjaam paye, Chaar din tak barabar yahi jhagda hota raha, Aakhir Abu Umayya bin Mugira ne jo Quresh me sabse badi Umr ka tha ye Raay di k kisi ko hakam bana kar uske faisle per Amal Kare'n_,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ka Tamaam Qaba'il ki taraf se Hakam muqarrar hona :- is raay ko maana gaya aur qaraar paya gaya k Jo koi ab sabse pahle Haram me aayega wohi sabka Hakam samjha jayega, ittefaqan Aan Hazrat ﷺ Tashreef le aaye, Aan Hazrat ﷺ ko dekhna tha k "Haaza Al Ameen" ke naare lag gaye, ( Ameen aa gaya, hum uske faisle per razamand hai'n )*
[10/6, 7:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Kaabe Ki Awwal Tameer Hazrat Ibrahim Alaihissallam ne Hazrat Isma'iyl Alaihissallam ke saath ki thi, FIR Bani Jurem, Banu Amalka, Qusa'i aur Quresh ne uski tajdeed ki thi, Tajdeed e Kaaba ki Zarurat Zamane ke Asar ya Sadma Sailaab vagera ki vajah se Paida Ho jaati thi, Kisi gair Qaum ke qabza karke gira dene, munhadim Karne Ka Waqi'a is imaarate kaaba ke sath 5000 saal se nahi hua tha, Jesa k Baikal Yeruslem ke saath baar baar Ese Waqiaat pe dar pe hote rahe aur ye Esa Sharf hai K Duniya Ki Kisi ibadat gaah ko Haasil nahi,*

*★_ Hazrat Ibrahim Alaihissallam aur Unki Aulaad ka dastoor ye tha k Maidan me Jis jagah ko ibaadat gaah muqarrar karte waha'n Ek Lamba bin ghada patthar Sutoon Ki tarah khada kar dete the, Jese abhi Musalman khuli jagah me namaz padhte hue apni chhadi vagera gaad diya karte Hai'n, jise Sutra kehte Hai'n, Hajre Aswad bhi Isi qism Ka patthar hai aur ye bhi Ek Shahadat us Amr K Kaaba Binaye Ibrahimi se ab Kone me Laga dene ke baad ye itna kaam deta hai k tawaaf ka shuru aur khatm ISI jagah se shuru Kiya jata hai, Musalmano me Jo darja iska hai wo iske Naam Hajre Aswad (Kaala patthar) Se Zaahir hai, Ek dafa Farooq e Aazam Raziyallahu Anhu ne Logo'n Ko sunane ke liye Hajre Aswad ko mukhatib kar ke kaha tha:- Tu Ek patthar hai Na Kisi Ko nafa na zarar de sakta hai _," (Bukhari 1597)*

*★_Hum likh chuke Hain K Nabi ﷺ ko Arab Ke Log Nabuwat se pehle Saadiq v Ameen keh kar Bulaya karte they, Chuna'nche is moqe per bhi unhone al-Ameen hi Huzoor ﷺ ko kaha hai, Aan Hazrat ﷺ ne Apni Aqlmandi aur mamla fahmi se esi tadbeer Ki k Sab khush ho gaye, Aan Hazrat ﷺ ne Ek Chandar bichhayi, us per patthar Apne haath se rakh diya, FIR Har EK Qabile ke Sardaar ho kaha k Chaadar ko pakad kar uthaye'n, ISI tarah us patthar ko Waha'n Tak Laye'n Jaha'n qaa'im karna tha, Aan Hazrat ﷺ ne fir use utha kar kone per aur Tawaaf ke sire per laga diya,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne is Mukhtasar Tadbeer se ek Khoo'nkhaar Jung ka Khaatma kar diya Varna us Waqt ke Ahle Arab me Rewad Ke Pani pilane, ghodo'n ke daudane, Ash'aar me Ek Qaum se doosri Qaum ko achcha batane, Jesi zara zara si baato per esi jung hoti thi k Beeso baras Tak khatm hone me Na aati thi,*
[10/7, 6:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Qareeb E Zamana Baisat :- Baisat se 7 baras pehle Ek Roshni aur Chamak nazar aane lagi thi aur Aan Hazrat ﷺ us Roshni ke maloom karne se khush hua karte they, Us Chamak me koi Awaaz ya Soorat na hoti thi, Baisat ka Zamana Jis tarah qareeb hota gaya Aan Hazrat ﷺ ke Mizaaj me khilwat Guzaini ki aadat badhti jati thi,*

*★_ Gaar E Hira me ibaadat Karna :- Aan Hazrat ﷺ Aksar Paani aur Sattu le kar Shehar se Kai kos per ek Sunsaan jagah Kohe Hira ki ek Gaar me Jiska Tol 4 gaz aur Arz Pone 2 gaz tha Ja bethte, ibaadat kiya karte they, is ibaadat me Tamheed v Taqaddus E ilaahi ka zikr bhi shamil tha aur Qudrate ilaahi per Tadabbur v Tafakkur bhi, Jab Tak Paani aur Sattu khatm nahi ho jate, Shehar me na aaya karte they,*
*"_ Ab Aan Hazrat ﷺ ko Khwab nazar aane lage, Khwab ese sachche hote they k jo kuchh Raat ko Khwab me dekh liya karte they Din me wesa hi Zahoor me aa jata,*

*★_ Baisat v Nabuwat :- Jab Aan Hazrat ﷺ ki Umr ke 40 Saal, Qamri per Ek Din Ouper hua to 9 Rabiul Awwal 41 Milaadi ( Mutabiq 12 Feburary 610 ) ko ba Roz Do Shamba ( Somvaar) Roohul Ameen Alaihissallam Allah ka hukm le kar Aan Hazrat ﷺ ke paas aaye, Us waqt Aan Hazrat ﷺ Gaare Hira me they,*
*"_ Roohul Ameen ne kaha:- Muhammad ﷺ Basharat Qubool Farmaiye, Aap Allah ke Rasool ﷺ hai'n aur Mai'n Jibrai'l (Alaihissallam) hu'n,*

*★_ Is Waqie ke baad Nabi Kareem ﷺ foran ghar me aaye aur Let gaye, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se kaha k mujh per Kapda daal do, Jab Tabiyat me zara Sukoon hua to Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se farmaya k Mai'n ese Waqiaat dekhta hu'n k mujhe Apni jaan ka Dar ho gaya hai_,"*
[10/8, 8:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha ki Shahadat :- Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha ne kaha- Nahi Aapko dar kahe ka ? Mai'n dekhti hu'n k Aap Aqraba per Shafqat farmate hai'n, Sach bolte hai'n, Raando Yateemo, bekaso ki dastgiri karte hai'n, Mehman Nawazi farmate hai'n, Musibat Zado se Hamdardi karte hai'n, Allah Aapko kabhi ranjida na farmayega _,"*

*★_ Ab Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko khud bhi Apne itminane Qalb ki zarurat hui, isliye wo Nabi ﷺ ko saath le kar Apne Rishte ke chachere Bhai Warqa bin Nofal ke paas gayi'n _,*
*_ Najashi aur Qaisar ki koshish se isaaiyat Arab me aa chuki thi, isliye Baisat Muhammad ﷺ ke qareeb Arab me ese log bhi mojood they Jo Ulma E Yahood v Nasara se bahut si malumaat ka istefada kar chuke they aur Deen e Jaahiliyat ko chhod kar ye khabre diya karte they k Anqareeb ek Rasool Zaahir hone wala hai, Jo iblees aur uske lashkar per gaalib hoga, Un Ashkhaas me Usman bin Harees, Ubaid, Zaib bin Amru aur Warqa bin Nofal ke naam Khususiyat se Mash'hoor hai'n_,"*

*★_ Zaid bin Amru Jo Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Chacha they, Wo buzurgwaar hai'n jinhone Rasoole Mo'uod ki talash me door door safar kiye they aur Aakhir ye maloom kar ke k wo Makka me paida honge, is mubarak intezar me reh kar inteqal kar chuke they,*

*★_ Iysaa'i Aalim Warqa bin Nofal ki Shahadat Aan Hazrat ﷺ ki Nabuwat per :- Algaraz Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ki darkhwast per Nabi Kareem ﷺ ne Warqa bin Nofal ke saamne Jibrai'l Alaihissallam ke aane, baat karne ka Waqi'a bayan farmaya, Warqa jhad bol utha, Yahi hai wo Namoos ( Farishta ) jo Moosa Alaihissallam per utra tha, Kaash Mai'n Jawan hota, Kash Mai'n us waqt zinda rehta jab Qaum Aap ﷺ ko nikaal dehi _,"*

*★_ Rasulallah ﷺ ne puchha :- Kya Qaum mujhe nikaal degi ? Warqa bola :- haa is Duniya me jis kisi ne esi taleem pesh ki usse ( shuru me ) adawat hi hoti rahi, Kaash Mai'n Hijrat tak zinda rahu'n aur Huzoor ﷺ ki khidmat karu'n _,"*
[10/9, 7:16 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ibtida Nuzoole Qura'an :- Kuchh dino ke baad Fir Farishta aaya aur Nabi Kareem ﷺ ko Jinhone Ab Tak likhna padhna na seekha tha Allah ka wo paak naam aur Paak Kalaam padhaya Jo Saare Uloomo ki Kunji aur is Saari Haqeeqato ka khazana hai, Roohul Ameen ne in Aayaat ko padha Tha :- (Surah Al Alaq- Aayat 1-5)*
*"_أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ. بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ _,*
*"_ اِقۡرَاۡ بِاسۡمِ رَبِّكَ الَّذِىۡ خَلَقَ‌ۚ ۞خَلَقَ الۡاِنۡسَانَ مِنۡ عَلَقٍ‌ۚ‏ ۞اِقۡرَاۡ وَرَبُّكَ الۡاَكۡرَمُۙ ۞الَّذِىۡ عَلَّمَ بِالۡقَلَمِۙ ۞ عَلَّمَ الۡاِنۡسَانَ مَا لَمۡ يَعۡلَمۡؕ ۞*

*"_( Tarjuma) Shuru hai Allah ke naam se jo Kamaale Rehmat aur nihayat Raham wala hai, Padh Apne Parwardigaar ke naam se Jisne ( Sab Kuchh ) paida kiya, Jisne insaano ko pani ke keede se banaya, ( Haa'n) padhta chala ja Tera Parwardigaar to bahut Karam wala hai, Jisne Qalam ke zariye Taleem di ( Jisne insaano ko wo sab kuchh sikhaya jo wo na jaanta tha )_,"*

*★_ Namaz Ka Agaaz :- iske baad Roohul Ameen Nabi ﷺ ko daamane Koh me laye, Nabi ﷺ ke saamne khud Wazu kiya aur Aan Hazrat ﷺ ne bhi Wazu kiya, Fir dono ne mil kar Namaz padhi, Roohul Ameen Alaihissallam ne padhayi,*

*★_ Tableeg Ka Agaaz :- Nabi Kareem ﷺ ne ghar pahunch kar Tableeg shuru kar di, Khadija Raziyallahu Anha ( Bivi) Ali Raziyallahu Anhu ( Bhai Umr 8 saal) Abu Bakar Raziyallahu Anhu ( Dost ) Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ( Gulaam ) pehle hi din Musalman ho gaye_,"*

*★_ In Shakhso ka imaan lana jo Aan Hazrat ﷺ ki 40 Saala zara zara si harkaat v Saknaat tak se waaqif they, Nabi ﷺ ki A'ala Sadaqat aur Raast baazi ki qavi daleel hai _,"*
[10/10, 7:49 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu bade Maldaar they, Tijarat karte they, Makka me unki Dukaan Bazazi ( Kapde ki ) thi, Logo'n me unka bahut Mel milaap tha, Unki tableeg se Usman Gani Raziyallahu Anhu, Zuber Raziyallahu Anhu, Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu, Talha Raziyallahu Anhu, Sa'ad bin Abi Waqas Raziyallahu Anhu musalman hue, Fir Abu Ubaida Aamir bin Abdullah bin Jarrah Raziyallahu Anhu ( Jinka Laqab baad me "Ameenul Ummat" hua ) Abdul Asad bin Hilaal Raziyallahu Anhu, Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu, Abu Huzefa bin Utba Raziyallahu Anhu, Saa'ib bin Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu aur Arqam Raziyallahu Anhu musalman hue,*
*"_ Aurto'n me Ummul Momineen Khadija Raziyallahu Anha ke baad Nabi ﷺ ke taaya Abbas Raziyallahu Anhu ki Bivi Ummul Fazal Raziyallahu Anha, Asma binte Umais Raziyallahu Anha, Asma binte Abu Bakar Raziyallahu Anha aur Fatima behan Umar Farooq Raziyallahu Anha ne islam Qubool kiya,*

*★_ Pahad ki ghaati me Namaz :- Un dino Musalman Pahaad ki ghaati me ja kar Namaz padha karte they, Nabi ﷺ Nabuwat ke ibtidayi 3 saal tak Logo'n ko Chupke Chupke Samjhaya karte they aur Pattharo, Darakhto, Chaand aur Suraj ki ibaadat se hata kar Allah ki bandgi sikhlaya karte they, Ab Allah ka hukm pahuncha :- ( Surah Al Mudassir, 1-7)*
*"_ Ey Kapde me letne wale ( Ey Aalam ke durust karne wale ) utho, ( Gande A'maal walo ko ) dara'o aur Apne Parwardigaar ki buzurgi faila'o aur Paak Daamani Akhtyar karo, ( Makhlooq Parasti ki ) najasat se Alhaidgi Akhtyar karo, Ahsan is niyat se na karo k Logo'n se iska fayda haasil Kiya jaye, Apne Parwardigaar ke liye ( Risalat karte hue har ek imtihaan aur Takleef me ) istaqlaal ( mazboot) rakho _,"*

*★_ Nabi ﷺ ki Nabuwat ke Maqasid :- in Ayaat se zaahir hai k Nabi ﷺ ki Risalat aur Nabuwat ke Maqasid Mindarja Zail they :-*
*(1)_ Nafarmano ko unki Khatarnaak haalat se Agaah karna aur Anjaam se darana ,*
*(2)_ Allah ki Rububiyat aur Kibriya'i aur Azmat v Jalaal ka Aashkaar karna ( kholna ),*
*(3)_ Logo ko Aitqaad, A'maal aur Akhlaq ki Zahiri v Baatini najasato se paak rehne ki Taleem dena,*
*(4)_ Pakeezgi, Safa'i aur Paak Daamani sikhlana,*
*(5)_ ilaahi Taleem muft dena, na un per Ahsan jatlana, na unse Apne kisi Fayde ki tawaqqo rakhna,*
*(6)_ is kaam me jis qadar bhi masa'ib aur Shada'id jhelni pade sabko bardasht karna,*
*"_ Jo Shakhs Nabi ﷺ ki Paak Zindgi ke halaat per gor karega Use maloom ho jayega k Aan Hazrat ﷺ ne kesi khoobi se in sab maqasid ko poora kiya, Nabi ﷺ ki tableeg ka kaam Aahista Aahista wus'at pakdta raha _,*
[10/11, 7:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Tableeg ke Panjgana Maratib :-*
*1_ Qareeb ke Rishtedaar aur Khaas Khaas Ahbaab,*.
*2_ Qaum aur Shehar ke Sab Log,*
*3_ Makka Ke Atraaf aur Aas Paas ke Qabile,*
*4_ Arab ke Jumla Hisse aur Qabile,*
*5_ Duniya ke jumla Mazhabo Ke Log aur Jumla Mash'hoor Mazahib,*

*★_ Huzoor ﷺ ne is Tableeg ke liye nihayat istahkaam, Kamaale istaqlaal aur Kushada Peshani v Nuzhat Khaatir se har qism ke masa'ib bardasht karne me saabit qadmi farmayi thi aur Apni Taleem ko Pakki daleelo aur Pakke iraado se Saabit kar diya,*

*★_ Baisat Ke Waqt Aalam Ki haalat:-*
*"_ Yaad rakhna chahiye k jis waqt Nabi ﷺ Tableeg E Aalam ke liye Mab'ous hue, Ye Wo Zamana tha k Tamaam Aalam per jahalat ki tareeki chha rahi thi, Wehshat, Darindgi ka Duniya per tasallut tha, insaniyat, Tehzeeb, Akhlaaq ke naam Shaydana Kitabo'n me nazar aa sakte they magar Dilo per koi asar na tha,*

*★_ Bani Israily to Maseeh Alaihissallam se bhi pehle Saa'np aur Saa'np ke bachche kehlane ke mustahiq thehar chuke they, Ab Maseeh Alaihissallam ki laanat se Zahiri Shaql v Soorat ke Siva unke Aadmiyat ka zara bhi nishan baqi na raha tha aur Pados ki Qaumo ke asar se unme But Parasti qaa'im ho chuki thi,*

*★_ Arab esa Mulk tha Jaha'n na kisi Badshaah ka tasallut hua tha na koi Asar Qanoon ne dala, na koi haadi unki Hidayat ke liye pahuncha tha, is Haiwani Azaadi per be ilmi, Jahalat aur Aqwami Mazhabo se Alhaidgi aur Ajnabiyat ne unki Haalat ko aur bhi zyada Tabaah kar diya tha, is badtreen haalat hi ne unko zyadatar Wajibul Raham thehraya aur Rabbul Aalameen ne islah e Aalam ka Agaaz isi jagah se hona pasand farmaya ,*
[10/12, 7:37 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Apne Kunbe me Tableeg:-*
*"_ Nabi ﷺ ne Hukme Rabbani ke muwafiq Tableeg E Aalam ka kaam shuru farma diya, Qareebi Rishtedaaro'n ko samjhane ka hukm Qura'an Majeed me Khususiyat se hai, ( Surah - Ash- Shu'ara - Aayat -214):-*

*"_ (Tarjuma- Mufti Taqi Usmani Maddzillahu):- Aur (Ey Paigambar) Tum Apne qareeb Tareen Khandaan ko khabardaar karo _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne ek Roz Sabko khane per jama kiya, Ye Sab Bani Haashim hi they, Unki Tadaad 40 ya Ek kam ya Zyada thi, Us Roz Abu Lahab Ki bakwas ki vajah se Nabi ﷺ ko Kalaam karne ka moqa hi na mila, isliye Doosri Shab fir unhi ki dawat ki gayi, Sab log khana kha ke, Doodh pi ke faarig ho gaye tab Nabi ﷺ ne farmaya:-*
*"_ Ey Hazireen ! Mai'n Tum sabke liye Duniya aur Aakhirat ki Baihboodi ( Bhala'i) le kar aaya hu'n aur Mai'n nahi jaanta k Arab bhar me koi shakhs bhi Apni Qaum ke liye isse behtar aur Afzal koi cheez laya ho, Mujhe Allah Ta'ala ne hukm diya hai k Mai'n Aap Logo'n ko iski Dawar du'n, Batla'o tumme se kon mera Saath dega ?*

*★_ Ye Sun kar Sab chup reh gaye, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne uth kar kaha :- Ya Rasulallah ﷺ Mai'n haazir hu'n, Nabi ﷺ ne Abu Taalib se kaha :- Tum iski baat maana karo aur Jo kaha kare, Suna karo, Ye Fiqra Sun kar majma khoob khilkhila kar ha'nsa aur Abu Taalib se mazaaq karne laga, Dekho ! Muhammad ﷺ tumhe keh raha hai k Aaj se tum Apne Farzand ka hukm maana karo _,"*
[10/13, 11:57 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Pahaadi ka Waaz aur Ahle Makka ko Aam Tableeg:-*
*"_ Ek Roz Nabi ﷺ ne Kohe Safa per Chadh kar Logo'n ko pukarna shuru kiya, Jab Sab log jama ho gaye to Nabi ﷺ ne farmaya:- Tum mujhe Sachcha Samajhte ho ya jhootha jaante ho ? Sabne ek Awaaz se kaha :- Humne koi baat galat ya behooda Aapke moo'nh se nahi suni, Hum Yaqeen karte hai'n k Aap Saadiq aur Ameen hai'n _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya :- dekho Mai'n Pahaad ki choti per khada hu'n aur Tum iske niche ho, Mai'n Pahaad ke idhar udhar bhi nazar kar raha hu'n, Achchha agar Mai'n ye kahu'n k Rehzano ka ek muslah giroh door se nazar aa raha hai jo Makka per Hamla Aawar hoga, Kya tum iska Yaqeen kar loge ?*
*"_ Logo'n ne kaha :- Beshak Kyu'nki hamare paas Aap jese Raast baaz ( Sachche, Amanatdaar ) Aadmi ke jhutlane ki koi vajah nahi, Khususan jabki Wo buland muqaam per khada hai k dono taraf dekh raha hai_,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Ye sab kuchh samjhane ke liye ek misaal thi, Ab Yaqeen kar lo k Maut tumhare Sar per aa rahi hai aur Tumne Allah ke saamne Haazir hona hai aur Mai'n Aalame Aakhirat ko bhi esa hi dekh raha hu'n jesa k duniya per tumhari Nazar hai, is dilnasheen waaz se matlab Nabi ﷺ ka ye tha k Nabuwat ke liye ek misaal pesh Kare'n k kis tarah ek Shakhs Aalame Aakhirat ko dekh sakta hai jabki hazaaro Shakhs nahi dekh sakte _,"*
[10/14, 9:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Tableeg me Aan Hazrat ﷺ ki Koshishe'n :-*
*"_ Ab Nabi ﷺ ne Sabko Aalami Tor per Samjhana Shuru kiya, Har ek mele har ek gali kooche me ja ja kar Logo'n ko Toheed ki khoobi batlate, Buto'n Pattharo Darakhto ki ibaadat se rokte, Betiyo'n ke maar daalne se hatate, Zina se mana farmate, Juwa khelne se Logo'n ko rokte they, Aap ﷺ farmaya karte they k log Apne Jism ko najasat se Kapdo'n ko Mel kuchel se, Zubaan ko gandi baato se, Dil ko jhoote Aitqaad se Paak v Saaf rakhe'n, Vaada aur Qaraar ki pabandi Kare'n, Allah ki zaat ko nuqs se, Ayb se, Aloodgi se paak samjhe, is baat ka Pukhta Aitqaad rakhe'n k Zameen Asmaan chaand Suraj chhote bade sabke sab Allah ke paida kiye hue Hai'n, Sab usi ke mohtaaj hai'n, Dua ka Qubool karna, Bimaar ko Sehat v Tandrusti dena, Muraade poori karna Allah ke Akhtyar me hai, Allah ki marzi aur hukm ke bager koi bhi kuchh nahi kar sakta, Farishte aur Nabi bhi uske Hukm ke khilaaf kuchh nahi karte,*

*★_ Arab me Uqaaz, Ainiya aur Zilhijaaz ke mele bahut Mash'hoor they, door door se log waha'n aaya karte they, Nabi ﷺ un maqamaat per jate aur Mele me aaye hue Logo'n ko islam aur Toheed ki dawat farmaya karte they,*

*★_ Quresh ki Mukhalfat :-*
*"_ Magroor Quresh ko jo Arab me apne Aapko sabse bada Samajhte they, Jese Samandar me Wel machhli, Nabi ﷺ ka Waaz pasand na aaya, Wo Nabuwat ka Mafhoom samajhne se qaasir they aur Baied samjhte they k Allah ke hukm se koi insaan insaano ke samjhane ke liye aaye, Wo jaza aur Saza e A'maal ke qaa'il na they, isliye ye taleem k maut ke baad A'maal ki jawabdahi hogi, Unke nazdeek bilkul Qabile mazaaq thi,*

*★_ Wo khandaan aur Sharafat, Buzurgaan per nihayat Magroor they aur unhe islami musawaat aur islami ukhwat ka Qubool karna ek qism ki hiqarat aur Zillat mehsoos hoti thi, Unme aksar Qaba'il Banu Hashim se Mukhalfat rakhte they aur Dushman Qabile ke ek shakhs ki taleem per chalna unhe aar maloom hota tha, Wo But Parasti per bilkul qaane they aur isse bartar kisi mazhab me kisi khoobi ka imkaan bhi unke Tasavvur me na aata tha, Wo Zina, Juwa, Rehzani, Qatl, Ahad Shikni, Awaargi, Har ek qanoon v qa'ade ki bandish v qaid se Azaad rehne, beshumar Aurto'n ko ghar me daale rakhne ke aadi they aur islam ka qanoon unko apni Adaat ka dushman maloom hota tha, isliye Unhone Aan Hazrat ﷺ ki Mukhalfat per kamar baandhi aur islam ka naamo nishan mita dene ka faisla kiya _,"*
[10/15, 9:28 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Islam Ke khilaf Tadbeere'n :-*
*"_ Avval Tadbeer Ye Akhtyar ki gayi k islam lane walo'n ko sakht Aziyate di jaye taki Jo Musalaman ho chuke hai'n waapas aa jaye'n aur naye log ise Akhtyar na kare'n, Quresh ne islam lane walo'n per Jo Mazalim kiye, Unhe Jo Takleefe aur Aziyate di, Unka mufassal bayan dushwar hai, Mukhtasar tor per unke Azaabdahi ke tareeqo aur chand buzurgwaaro ka haal Mazkoor hota hai:-*

*★_(1)_ Hazrar Bilaal Raziyallahu Habshi they, Umayya bin Khalf ke gulam they, Jab Umayya ne suna k Bilaal Raziyallahu Anhu Musalaman ho gaye hai'n to Naye Naye Azaab unke liye ijaad kiye gaye, Gardan me Rassi daal kar Logo'n ke haath me di jati aur Wo Makka ki Pahadiyo'n me unhe le kar firte, Rassi ke nishan unki gardan per numaya ho jate, Vaadi e Makka ki garam Ret per unhe lita diya jata aur garam garam Patthar unki Chhaati per rakh diya jata, Mashke'n baandh kar lakdiyo'n se peeta jata, Dhoop me bithaya jata, Bhooka rakha jata, Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu in sab Haalato me bhi Ahad Ahad ke naare lagate rehte they, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ko khareeda aur Allah ke liye Azaad kar diya,*

*★_(2)_ Hazrat Ammar Raziyallahu Anhu, unke Waalid Yasir Raziyallahu Anhu aur Walida Sumayya Raziyallahu Anha musalman ho gaye they, Abu Jahal ne unhe Sakht Azaab pahunchaye, Ek Nabi ﷺ ne unhe maar khaate, Azaab Sehte dekha, Farmaya :- Yasir ke gharane walo ! Sabr karo tumhara muqam Jannat hai, Kambakht Abu Jahal ne Bibi Sumayya Raziyallahu Anha ke Sharmgah me neza maara aur unhe jaan se maar daala,*
[10/15, 9:38 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(3)_ Abu Fakiyah jinka naam Aflaah Raziyallahu Anhu tha, Ke Paa'nv me Rassi daal kar unhe Pathrili zameen per ghasita jata,*

*★_ (4)_Hazrar Khabbab bin Art Raziyallahu Anhu ke Sar ke baal kheenche jate, Gardan marodi jati, Garam Pattharo per aur Baarha Aag ke Angaaro per litaya gaya,*

*★_(5)_ Quresh ka ye Sulook Gulaamo aur Zaiefo ke saath hi na tha, Apne Farzando aur Azeezo ke saath bhi wo esi hi sangdili ka bartaav Kiya karte they, Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu ke islam lane ki khabar unke Chacha ko hui, To wo kambakht Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko khajoor ki saf me lapet kar baandh deta aur niche se dhuwa'n diya karta, Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ko unki Maa'n ne ghar se nikaal diya tha, isi jurm me k wo islam le aaye they, Baaz Sahab Kiraam Raziyallahu Anhum ko Quresh Gaay Oun't ke kachche Chamde me Lapet kar dhoop me fai'nk dete they, Baaz ko lohe ki zira pehna kar jalte Pattharo per gira diya karte they,*

*★_ Garz esi Wehshana Sazae'n dete they k Sirf islam ki sadaqat hi unka muqabla kar sakti thi, Pehli Ummato ne khote sikke le kar Ambiya Alaihissallam ko giraftaar aur qatl tak kara diya tha,*
[10/17, 7:15 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ Ke Saath Quresh Ki Bad Sulooki:-*
*"_ Basa Awqaat Nabi ﷺ ke raaste me Kaa'nte bichhaye jate taki Raat ke andhere me Aap ﷺ ke Paa'nv zakhmi Ho'n, Ghar ke darwaze per Gandhi ph'enki jati,*.

*★_ Ibne Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ka chashm deed bayan hai k Ek Roz Nabi ﷺ khana Kaaba me Namaz padh rahe they, Uqba bin Abi Mu'iet aaya, Usne Apni Chaadar ko lapet de kar Rassi jesa banaya aur Jab Nabi ﷺ Sajde me gaye to Chaadar ko Huzoor ﷺ ki gardan me daal diya aur pech dar pech dene shuru kiye, Gardan mubarak bahut bheech gayi thi, Fir bhi Huzoor ﷺ usi itminane Qalb se Sajde me pade hue they, Itne me Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aaye, Unhone dekh kar Uqba ko hataya aur Zuban se ye Aayat padh kar Sunayi:-*

*"_أَتَقْتُلُونَ رَجُلًا أَن يَقُولَ رَبِّيَ اللَّهُ وَقَدْ جَاءَكُم بِالْبَيِّنَاتِ _,*
*"_( Tarjuma) Kya tum ek buzurg Aadmi ko maarte ho aur sirf is jurm me k Wo Allah ko Apna Parwardigaar kehta hai aur Tumhare Paas Roshan dala'il bhi le kar aaya hai _," ( Surah Momin - 28)*

*"_ Chand Shareer Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se lipat gaye aur Unke saath bahut maar peet ki_,"*

*★_ Ek doosri dafa ka zikr hai k Nabi Kareem ﷺ khana Kaaba me Namaz padhne lage, Quresh bhi Sahan E Makka me ja bethe, Abu Jahal bola k Aaj Shehar me fala jagah oun't zibah hua hai Ojhdi padi hui hai, Koi jaye utha laye aur Us ( Nabi ﷺ) ke Ouper rakh de _,"*
*"_Shaqi Uqba utha, Najasat bhari Ojhdi utha laya, Jab Nabi ﷺ Sajde me gaye to Pusht Mubarak per rakh di, Aan Hazrat ﷺ to Allah Rabbul izzat ki jaanib mutavajjah they, Kuchh khabar Na Hui, Mushrikeen ha'nsi ke maar lote jate they aur ek doosre per gire jate they,*

*★_ Ibne Masoud Raziyallahu Anhu Sahabi bhi mojood they, Mushrikeen ka Hujoom dekh kar unko to hausla na hua Magar Masooma Sayyada Fatimah Zohra Raziyallahu Anha aa gayi'n, Unhone Baap ki peeth se Ojhdi ko pare fai'nk diya aur un Sangdilo ko sakht bhi kaha _,"*
[10/17, 8:15 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh E Makka ne Nabi ﷺ aur Musalamano per jo Sitam ho rahe they, Use Nakaafi samjha, isliye bajaye mutafarriq koshisho ke ab ba qa'ada Kametiya'n banayi gayi'n, Ek Kameti qaa'im hui Jiska Ameer Abu Lahab tha aur Makka ke 25 Sardaar Uske Member they, is Kameti me hal talab sawal ek ye bhi tha k Jo log door daraaz se Makka me aate hai'n Unhe Muhammad ﷺ ki nisbat kya kaha jaye taki log unki baato me na fa'nse aur unki Azmat ke qaa'il na Ho'n_,"*

*★"_ Ek ne kaha - Hum batlaya karenge k wo kaahin hai _,"*
*"_ Waleed bin Mugira ( Jo Ek Khurra'nt Budhha tha) bola :- Maine bahut se Kaahin dekhe hai'n lekin kaha'n to Kaahino ki tuknandiya'n aur kaha'n Muhammad ﷺ ka kalam ! Humko esi baat nahi kehni chahiye jisse Qaba'il E Arab ye samjhe k hum jhoot bolte hai'n _,"*

*★_ Ek ne kaha :- Hum use Diwana bataya karenge _,"*
*"_ Waleed bola :- Muhammad ﷺ ko Diwangi se kya nisbat hai ?*
*"_ Ek bola :- Achchha Hum kahenge wo Shayar hai _,"*.
*"_ Waleed ne kaha :- Hum jaante hai'n k Sher kya hota hai, Asnafe Sukhan humko bakhoobi maloom hai'n, Muhammad ﷺ ke kalam ko Sher se zara bhi mushab'hat nahi _,"*

*★_ Ek bola :- Hum bataya karenge k Wo Jadugar hai _,"*
*"_ Waleed ne kaha :- Jis Taharat v Nazafat v Nafasat se Muhammad ﷺ rehte hai'n, Wo Jaadugaro me kaha'n hoti hai, Jaadugaro ki manhoos soorte aur Najis Aadate alag hi hoti hai'n _,"*
[10/19, 9:47 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Sabne Aajiz ho kar kaha :- Chacha Tum hi batao k Fir kya kaha jaye ? Walid bin Mugira ne kaha :- Sach to ye hai k Muhammad ﷺ ke kalam me Ajab Sheerni hai, Unki guftgu me noor si halawat hai, Kehne ko to bas yahi keh sakte Hai'n k Unka Kalam esa hai Jisse baap bete, Bhai Bhai, Shohar Bivi me Judayi ho jati hai, isliye isse Parhez karna chahiye_,"*

*★_ Aakhir Us Kameti ne Mindarja Zail qaraar per ittefaq kiya :-*
*"_ Muhammad ﷺ ko har tarah se Sataya jaye, Baat baat me unki ha'nsi udayi jaye, Tamskhur (Mazaaq) aur izaa se Sakht Takleef di jaye, Muhammad ﷺ ko sachcha samajhne walo ko inteha darja ki takleef ka shikar kiya jaye _,"*

*★_ Hijrat E Habsha :- Jab Kiffar ne Musalamano ko behad satana shuru kiya to Nabi ﷺ ne Sahaba Raziyallahu Anhum ko ijazat de di k Jo koi chahe wo Apni jaan v imaan ke bacha'o ke liye Habsha ko chala jaye, is ijazat ke baad ek chhota sa Qafila 12 Mard aur 4 Aurto'n ka Raat ki Tareeki me nikla aur bandargah se Jahaz per Sawar ho kar Habsha ko rawana ho gaya _,"*

*★_ Is Mukhtasar Qafile ke Sardar Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu they, Sayyada Ruqayya Raziyallahu Anha ( Binte Aan Hazrat ﷺ) unke saath thi'n, Nabi ﷺ ne farmaya:- Loot aur Ibrahim Alaihissallam ke baad ye pehla Joda hai Jinhone Raahe Haq me Hijrat ki _," ( Ravaah Haakim Fi Al Mustadrak-6849)*
   
[10/20, 6:38 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Unke pichhe aur bhi Musalaman ( 83 Mard 18 Aurte'n) Makka se nikle aur Habsha ko rawana hue, Unme Nabi ﷺ ke Tayazaad Bhai Jaafar Tayaar Raziyallahu Anhu bhi they, Qauresh ne Samundar tak unka pichha kiya magar Ye Kashtiyo me beth kar rawana ho chuke they,*

*★_ Habsha Ka Badshaah Iysaa'i tha, Makka ke Mushrik bhi uske paas Tohfe Taha'if le kar gaye aur Ja kar kaha k un logo jo hamare mulk se bhaag kar aaye hai'n hamare Supurd kar diya jaye, Musalaman darbaar me bulaye gaye, Tab Nabi ﷺ ke Tayazaad Bhai Jaafar Tayaar Raziyallahu Anhu ne darbaar me ye taqreer ki :-*

*"_ Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu ki islam per Taqreer :-*
*"_ Ey Badshaah ! Hum Jahalat me mubtila they, Buto'n ko poojte they, Najasat me aalood they, Murdar khate they, Behooda baka karte they, humme insaniyat aur Sachchi mehmandaari ka nishan na tha, Hamsaya ki ri'ayat na thi, Koi qa'ada Qanoon na tha, Esi haalat me Allah ne humme se ek buzurg ko Mab'ous kiya, Jiske Hasab nasab, Sachcha'i, Dayanatdari, Taqwa Pakeezgi se hum khoob waqif they, Usne humko Toheed ki dawat di aur samjhaya k us Akele Allah ke saath kisi ko shakeek na jane, Usne humko Pattharo ki ibaadat se roka, Usne farmaya k hum Sach bola Kare'n, Vaada poora Kare'n, Raham Kare'n, Gunaaho se door rahe'n, Buraiyo'n se bache, Usne hukm diya k Hum Namaz padha Kare'n, Sadqa diya Kare'n, Roze rakha Kare'n, Hamari Qaum humse in baato per bigad bethi, Qaum ne Jaha'n tak ho saka humko sataya taki Wahdahu La Shareek ki ibaadat Karna chhod de'n aur Lakdi aur Patthar ke Buto'n ki ibaadat karne lag jaye'n, Humne unke haatho'n bahut zulm aur Takleefe uthayi hai'n aur Jab Majboor ho gaye tab Aapke Mulk me panaah lene ke liye aaye Hai'n _," ( Seerat ibne Hisham, Jild Avval - 126)"*
[10/21, 6:43 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Badshaah ne ye taqreer sun kar kaha - Mujhe Qur'an Suna'o ! Jaafar Tayaar Raziyallahu Anhu ne Sureh Mariym sunayi, Badshaah per esi Taseer hui k Wo rone lag gaya aur usne kaha k Muhammad ﷺ to wohi Rasool hai'n Jinki Khabar Yeesu bin Mariyam Alaihissallam ne di thi, Allah ka shukr hai k mujhe us Rasool ka zamana mila, Fir Badshaah ne Makka ke Mushriko ko darbaar se nikalwa diya _,"*

*★_ Jab Makka ke Mushriko ne dekha k Habsha jane ka bhi kuchh fayda na nikla to Unhone kaha- Aa'o Muhammad ﷺ ko pehle to laalach de'n, Fir dhamki de'n, Kisi tarah to maan hi jayenge, Ye Mashwara kar ke Makka ka Mash'hoor Maldaar Sardaar Jiska naam Utba tha, Nabi ﷺ ke paas aaya aur usne yu'n taqreer ki:-*

*"_ Mere Bhatije Muhammad ﷺ ! Agar Tum is Karwahi se maal v daulat jama karna chahte ho to hum khud hi tumhare paas itni daulat jama kar dete hai'n k tum Maldaar ho jao, Agar Tum izzat ke bhooke ho to achchha hum sab tumko Apna Ra'ies maan lete hai'n, Agar Hukumat ki khwahish hai to hum tumko Badshaah E Arab bana dete Hai'n, Jo chaho so karne ko haazir hai'n magar tum Apna ye Tareeqa chhod do aur Agar Tumhare dimaag me kuchh khalal aa gaya hai to batla do k hum tumhara ilaaj karaye'n _,"*
[10/22, 6:55 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Jo kuchh tumne meri baabat kaha wo zara bhi Sahi nahi, Mujhe Maal, izzat, Daulat, Hukumat kuchh darkaar nahi aur mere dimag me khalal bhi nahi, Meri Haqeeqat tumko Qura'an ke is Kalam se maloom hogi :-*

*"_( Tarjuma) Ye Farman Allah ke huzoor se aaya hai, Wo badi Rehmat wala aur Nihayat Raham wala hai, Ye badi Padhi jane wali kitaab hai, Arbi zuban me Samajhdar Logo'n ke liye isme sab baate khuli khuli darj hai'n Jo log Allah ka hukm maante hai'n, Unke Waaste is Farman me Basharat hai aur Jo inkaar karte hai'n Unko Allah ke Azaab se darana hai, Taaham bahut se Logo'n ne is Farman se moo'nh mod liya hai wo ise sunte hi nahi aur kehte hai'n k iska hamare dil per koi asar nahi aur hamare kaan iske Shunwa nahi aur humme aur Tumme ek tarah ka parda pada hai, Tum Apni (Tadbeer) karo hum Apni (Tadbeer) kar rahe hai'n, Ey Nabi ﷺ un Logo'n se keh dijiye k Mai'n bhi tumhi jesa Bashar hu'n, Magar mujh per wahi aati hai aur Allah ke farishte ne ye batla diya k Sab Logo'n ka mabood sirf ek hai, Usi ki taraf mutavajjah hona aur usi se Gunaaho ki maafi maangna laazim hai, Un Logo'n per Afsos hai jo Shirk karte hai'n aur Sadqa nahi dete aur Aakhirat ka inkaar karte hai'n, Lekin Jo log Allah per imaan laye aur Unhone Nek kaam kiye, Unke liye Aakhirat me bada Ajar hai _,"*
[10/23, 7:03 AM] Haqq Ka Daayi Official: *Is Nakaami Ke baad Quresh Makka ne Mashwara kiya k Muhammad ﷺ ko Qaum ke saamne bula kar Samjhana chahiye, is Mashware ke baad Unhone Nabi ﷺ ke paas kehla bheja k Sardarane Qaum Aapse kuchh baat cheet karna chahte hai'n aur Kaabe ke andar jama Hai'n_,"*

*★_ Nabi ﷺ Khush Khush waha'n aa gaye Kyu'nki Huzoor ﷺ ko unke imaan le Aane ki badi hi Aarzoo thi, Jab Aan Hazrat ﷺ  Waha'n ja bethe to unhone guftgu ka Agaaz is tarah kiya :-*
*"_ Ey Muhammad ﷺ ! Humne tumhe Yaha'n baat karne ke liye bulaya hai, Ba-Khuda hum nahi jaante k koi Shakhs Apni Qaum per itni mushkilaat Laya ho Jis qadar tumne Qaum per daal rakhi hai'n, Koi kharabi esi nahi Jo tumhari vajah se hum per na aa chuki ho, Ab Tum ye batao k Agar tum Apne is naye Deen se Maal jama karna chahte ho to hum tumhare liye maal jama kar de'n, itna k humme se kisi ke paas itna Rupiya na nikle aur Agar Sharf v izzat ke khwashtgaar ho to hum tumhe Apna Sardaar bana le'n aur Agar Saltnat ke Taalib ho to tumhe Apna Badshaah muqarrar kar le'n aur Agar Tum samajhte hi k Jo cheez tumhe dikhayi deti hai Wo koi Jin hai jo gaalib aa gaya hai, To hum Tone Totke ke liye maal kharch kar de'n Taki tum Tandurast ho jao ya Qaum ke nazdeek mazoor samjhe jao _,"*
.
*★_ Rasulullah ﷺ ne farmaya:- Tumne Jo kuchh kaha meri haalat ke zara bhi mutabiq nahi, Jo Taleem Mai'n le kar aaya hu'n wo na Talabe Amwaal ke liye hai, na Jalbe Sharf ya Husoole Saltnat ke waaste hai, Baat Ye hai j Allah ne mujhe Tumhari taraf Rasool bana kar bheja hai, Mujh per kitaab Utaari hai, Mujhe Apna Basheer v Nazeer banaya hai, Maine Apne Rab ke Paigaam Tum tak pahuncha diye hai'n aur Tumhe Ba-Khoobi Samjha diya hai, Agar tum meri Talimaat ko Qubool kar loge to ye tumhare liye Duniya v Aakhirat ka Sarmaya hai aur Agar Rad karoge tab Mai'n Allah ke hukm ka intezar karunga k Wo mere liye aur Tumhare liye kya hum bhejta hai _,"*
[10/24, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh ne kaha :- Achchha Muhammad ﷺ ! agar tum hamari in baato ko maante to ek aur baat suno, Tumhe maloom hai k hum kis qadar Sakhti aur Tangi se din kaat rahe hai'n, Pani hamare paas sabse kam hai aur Guzraan hamari sabse zyada tang hai, Ab Tum Allah se ye Sawal karo in Pahaado ko hamare Saamne se hata de taki hamare Shehar ka maidan khul jaye, Neez hamare liye esi nehre jaari kar de jesi Shaam aur Iraaq me jaari hai, Hamare baap Daada ko zinda kar de, Un Zinda hone walo me Qusa'i bin Kilaab zaroor ho Kyu'nki wo hamara Sardaar tha aur Sach bola karta tha, Hum usse Tumhari baabat poochh lenge, Agar Usne Tumhari tumhari baato ko sach maan liya aur Tumne hamare doosre sawalo ko bhi poora kar diya tab hum bhi tumhe Sachcha jaan lenge aur maan lenge k Allah ke Yaha'n tumhara bhi koi darja hai aur usne Fil Haqeeqat tumhe Rasool bana kar bheja hai, Jesa k tum keh rahe ho _,"*

*★_ Rasulallah ﷺ ne farmaya:- Mai'n in kaamo ke liye Rasool bana kar nahi bheja gaya hu'n, Mai'n to is taleem ke liye Rasool bana kar bheja gaya hu'n aur Maine Allah ke paigamaat tumhe suna diye hai'n, Agar Tum is Taleem ko Qubool kar loge to ye tumhari Duniya v Aakhirat ke liye Sarmaya hai aur Agar Rad karoge to Mai'n Allah ke hukm ka intezar karunga, Jo kuchh usne mera Tumhara faisla karna hoga farmayega _,"*

*★_ Quresh ne kaha :- Achchha ! Agar tum hamare liye kuchh nahi karte to Tum khud Apne liye Allah se Sawal karo k wo ek Farishte ko tumhare saath muqarrar kar de Jo ye kehta raha kare k Ye Shakhs Sachcha hai aur Humko Tumhari Mukhalfat se mana bhi kar de_,"*
*"_ Haa'n tum Apne liye ye bhi Sawal karo k Baag lag jaye'n, Bade Bade Mahal ban jaye'n, Khazane me Sona Chandi jama ho jaye, Jiski tumhe zarurat bhi hai, Ab tak Tum khud hi Bazaar me jate aur Apni ma'ash talash kiya karte ho, Esa ho jane ke baad hum tumhari fazilat aur Sarf ki pehchan Haasil kar sakenge aur Tumhe Allah ka Rasool samajh Sakenge _,"*

*★_ Rasulullah ﷺ ne farmaya:- Mai'n esa na karunga aur Allah se bhi esa Sawal na karunga aur in baato ke liye Mab'ous bhi nahi hua, Mujhe to Allah ne Basheer v Nazeer banaya hai, Tum maan lo to tumhare liye Zakhira Darain hai, Varna Mai'n Sabr karunga aur Allah ke faisle ka muntazir rahunga _,"*
[10/25, 6:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh ne kaha - Achchha tum Asmaan hi ka Tukda tod kar hum per gira do Kyu'nki Tumhara Azm ye hai k Agar Allah chahe to esa kar sakta hai, Pas jab tak tum esa na karoge hum imaan nahi layenge _,"*
*"_ Rasulullah ﷺ ne farmaya:- Ye Allah ke Akhtyar me hai, Wo Agar chahe to esa kare_,"*

*★_ Quresh ne kaha :- Muhammad ﷺ ye batao k Tumhare Rab ne tumhe pehle se ye na batlaya k hum tumhe bulayenge aur ese ese sawal karenge, Ye ye cheeze talab karenge, Hamari baato ka ye jawab hai aur Allah ka mansha esa esa karne ka hai ? Chu'nki tumhare Rab ne esa nahi kiya isliye hum samajhte hain k Jo kuchh humne Suna hai wo Sahi hai k Yamama me ek Shakhs rehta hai, Uska naam Rahman hai, Wohi tumhe esi baate sikhlata hai, Hum to Rahman per kabhi imaan nahi layenge, ( Allah Az v Jal ke Asma E Hasna jo islam ne bataye hai'n Unme Rahman esa naam hai Jisse Arab hargiz waqif na they, isliye Wo Allah ke naam Rahman se bahut chida karte they aur kaha karte they k ye kisi gumnan Shakhs ka naam hoga Hala'nki Rahman Rahmat se mubalga ka Seega hai, Yani Kamaale Rehmat wala _,"*

*★_ Muhammad ﷺ dekho ! Aaj humne Apne sab uzraat suna diye hai'n, Ab hum tumse Qasmiya ye bhi keh dete Hai'n k hum tumhe is taleem ki isha'at kabhi nahi karne denge, Hattaki hum mar jaye'n ya tum mar Jao _,"*
*"_ Yaha'n tak baat cheet hui thi k ek unme se bola :- Hum Malaika ki ibaadat karte hai'n Jo Allah ki Betiya'n hai'n_,"*
*"_ Doosra bola :- Muhammad ﷺ hum tumhari baat ka Yaqeen nahi karenge jab tak k Allah aur Uske Farishte hamare saamne na aa jaye'n _,"*

*★_ Nabi ﷺ Aakhri baat sun kar uth khade hue, Nabi ﷺ ke saath Abdullah bin Abu Umayya bin Mugira bhi uth khada hua, Ye Aap ﷺ ka Foofi zaad Bhai ( Aatika binte Abdul Muttalib ka Beta) tha, Usne kaha :- Muhammad ﷺ ! Dekho Tumhari Qaum ne Apne liye kuchh cheezo ka tumse sawal kiya, Wo bhi tumne na maana, Fir unhone ye chaha k tum khud Apne hi liye esi Alamaat ka izhaar karo Jisse tumhari qadro manzilat ka saboot ho sakta ho, Use bhi tumne Qubool nahi kiya, Fir Unhone Apne liye thoda sa Azaab bhi chaha jiska khof tum dilaya karte ho, Tumne uska bhi iqraar na kiya, Bas Ab Mai'n Tum per kabhi imaan nahi launga, Haa'n Agar Tum mere Saamne Asmaan ko zeena laga kar Ouper Chad jao aur mere saamne us zeene se utro aur tumhare saath chaar Farishte bhi aaye'n aur Wo tumhari Shahadat bhi de'n, Mai'n to tab bhi tum per imaan nahi launga _,"*

*★_ Aapne dekha k islam ki Adawat me Abdullah kitna sakht hai, Lekin Chand Saal na guzarne paye they k Fateh Makka se pehle yahi Abdullah Allah Ta'ala ki tofeeq se Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua aur islam le aaya, Ahle Danish jaan sakte Hai'n k ese Shakhs ka islam lana Nabi ﷺ ka esa mojza hai jo Asmaan per zeena laga kar chad jane, Farishto ki shahadat dene se bhi badh kar hai, Kyu'nki ye to Wo baate jinke dekh lene ke baad bhi Abdullah imaan nahi lana chahta tha _,"*
[10/26, 5:21 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ is Rad v inkaar per bhi barabar Quresh ko islam ki hidayat kiya karte aur farmaya karte k meri taleem hi me sab kuchh tumhare liye mojood hai, Jin Danishmando ne imaan ko Qubool kiya aur Talimaat Nabvii ﷺ per kaarband hue Unhe isse bhi zyada maroof fawaid haasil ho gaye, Jinka Sawal Mushrikeen ne kiya tha,*

*★_ Humko is moqe per injeel ka wo muqaam yaad aata hai, Jisme Maseeh Alaihissallam se Aazmaa'ish ke liye Shaitan ne kai sawal kiye aur Maseeh Alaihissallam ne un sabka jawab inkaar me diya, Haqeeqat ye hai k Allah ke barguzida Rasool Alaihissallam Apni Sadaqat ke saboot me Apni taleem ko pesh kiya karte hai'n, Moajza ya Kharq Aadat ko pesh nahi kiya karte, Kyu'nki Fir Sifte imaan bil gaib ki khoobi baqi nahi rehti, Agarche kisi digar Awqaat me kisi zarurat ke liye unse Mojzaat ka sudoor bhi ba kasrat hota rehta hai _,"*

*★_ Ameer Hamza Raziyallahu Anhu ka islam Lana :-*
*"_ Nabuwat ke Chhate baras ka zikr hai k Ek Roz hamare Nabi ﷺ Kohe Safa per bethe hue they, Abu Jahal waha'n pahunch gaya, Usne Nabi ﷺ ko pehle to gaaliya'n di aur Jab Nabi ﷺ gaaliya'n sun kar chup rahe to Usne ek patthar Nabi ﷺ ke sar per fai'nk maara, Jisse khoon behne laga, Nabi ﷺ ke Taaya Hamza Raziyallahu Anhu ko khabr hui, Wo Abhi Musalaman nahi hue they, Qarabat ke josh me Abu Jahal ke paas pahunche aur uske Sar per zor se kamaan kheench maari k Wo Zakhmi ho gaya, Hamza Raziyallahu Anhu fir Nabi ﷺ ke paas gaye aur kaha :- Bhatije ! Tum ye sun kar khush ho'nge k maine Abu Jahal se tumhara badla le liya _,"*
*"_ Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:- Taaya Mai'n esi baato se khush nahi hua karta, Haa'n tum Musalaman ho jao to mujhe badi khushi hogi _,"*
*"_ Ameer Hamza Raziyallahu Anhu usi waqt Musalaman ho gaye _,"*
[10/27, 5:23 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Umar Farooq Raziyallahu Anhu ka islam Lana:-*
*"Ameer Hamza Raziyallahu Anhu se Teen din pichhe Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu Musalaman hue, Ye bade Diler aur Bahadur they, Quresh ki taraf se berooni mumalik ki Sifarat ka kaam inse Mutalliq tha, Ek Din Umar Raziyallahu Anhu Apni Bahaduri ke bharose per Nabi ﷺ ke qatl ka iraada kar ke ghar se nikle, Badan per sab Hathiyar saja rakhe they, Raaste me Unko pata laga k Behan aur Behnoi dono Musalaman ho gaye hai'n, Ye Sun kar Behan ke ghar gaye aur Un Dono ko khoob maara, Unki Behan Fatima Raziyallahu Anha ne kaha :- Umar ! Tum pehle Wo kitaab sun lo Jise Sun kar hum imaan le aaye Hai'n, Agar Wo tumko Achchhi na lage to humko maar daalna, Umar Raziyallahu Anhu ne kaha :- Achchha _,"*

*★_ Us waqt unke ghar me Nabi ﷺ ke ek Sahabi bhi they, Jo Umar Raziyallahu Anhu ke aa jane se chhup gaye they, Unhone Qura'an Majeed ( Taaha ka pehla ruku ) sunaya , Umar Farooq Raziyallahu Anhu Qur'an sun rahe they aur be Akhtyar ro rahe they, Garz Umar Raziyallahu Anhu usi waqt Nabi ﷺ aur Qur'an per imaan le aaye, Jo Shakhs ghar se qatil ban kar nikla tha, Wo jaa'n Nisaar ban gaya, Aage chal kar unka Laqab Farooq hua _,"*

*★_ Us waqt tak Musalaman Namaz Apne gharo me chhup chhup kar padha karte they, Ab Kaaba me ja kar padhne lage, Mushrikeen ye dekh kar aur bhi zyada jale aur Musalamano ko behad takleef dene lage aur Nabi ﷺ ke saath bhi gustakhi se pesh aate they _,"*
[10/28, 5:47 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ Apne qabile samet 3 saal tak pahaad ki ghaati ke andar mahsoor rahe :-*
*"_Jab Quresh ne dekha k esi Aziyato aur Takleefo per bhi Nabi ﷺ Apni taleem per qaa'im hai'n aur benazeer jurr'at aur anthak mehnat se apna kaam kiye ja rahe hai'n, To Ba Maahe Muharram 7 Nabuwat Unhone kaha :- Banu Hashim jo Nabi ﷺ ka Qabila hai Agarche Musalaman nahi hua fir bhi Nabi ﷺ ka saath nahi chhodta hai, Aao unse naata rishta karna chhod de'n, Unhe gali Bazaar me firne na do, unko koi cheez mol bhi na do _," is baat ka muahida likha gaya aur Kaabe per latkaya gaya,*

*★_ Nabi ﷺ aur Unka Qabila majboor ho gaye, Ghar baar chhod kar Pahaad ki ghaati me mahboos v mahsoor ho kar rehne lage, Quresh ne Galla aur doosri Zarurat ki cheezo ke liye bhi aana jana band kar diya, Bani Hashim ke Bachche bhook ke maare is qadar roya karte they k Unki Awaaze ghaati ke bahar tak sunayi deti _,"*

*★_ 3 Baras tak Nabi ﷺ aur Unke Khandaan ne isi tarah kaate aur Jo Musalaman they Wo bhi Apne gharo me Qaidi bankar rehne lage, Hajj ke Dino me jab Mushrikeen bhi Dushman se ladna Haraam jaante they, Nabi ﷺ us ghaati se bahar nikla karte they aur Logo'n ko Allah imaan lane ka Waaz sunaya karte they, Kambakht Abu Lahab Subeh se Shaam tak Nabi ﷺ ke pichhe pichhe fira karta aur kaha karta - Logo'n ye Diwana hai, iski baat na suno, Jo koi iski baat sunega aur maanega wo Tabaah ho jayega_,"*

*★_ 3 Baras tak Nabi ﷺ ne is sakhti ko Nihayat Sabr v istaqlaal se bardasht kiya, Jab un Mushriko ne ghaati se pehre utha liye aur Deemak ne unke Muahide ke kaagaz ko kha liya jo Kaabe per latkaya gaya tha, Tab Nabi ﷺ bahar nikle aur fir waaz ka silsila shuru kar diya _,"*
[10/29, 7:39 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Nabi ﷺ Masjide Haraam me dakhil hue, Waha'n Mushrik Sardaar bethe hue they, Abu Jahal ne Nabi ﷺ ko dekha aur Tamskhur (Mazaaq) se kaha :- Abde Munaaf Walo ! Dekho Tumhara Nabi (ﷺ) aa gaya _,"*
*"_ Uqba bin Rabi'a bola:- Hume kya inkaar hai Humme se koi Nabi ban bethe, koi Farishta kehlaye _,"*.
*"_ Nabi ﷺ ye baate sunkar lote aur unke paas aaye, Pehle Uqba se farmaya:- Uqba ! Tune Allah aur Rasool ﷺ ki Himayat kabhi na ki, Tu Apni hi baat ke pech per ada raha _," Fir Abu Jahal se farmaya :- Tere liye wo Waqt bahut qareeb aa raha hai, door nahi raha hai k Tu thoda hansega aur bahut royega _,"*
*"_ Fir Quresh se farmaya :- Tumhare liye Wo Sa'at ( Ghadi ) nazdeek aa rahi hai k Jis Deen ka tum inkaar karte ho Aakhir kaar usi me dakhil ho jaoge _,"*.

*★_ Abu Taalib ka inteqal :- Das Nabuwat me Nabi ﷺ ke Taaya Abu Taalib jo Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Waalid they, inteqal ho gaya, Abu Taalib ne ladakpan se Nabi ﷺ ki Tarbiyat ki thi aur Jabse Aan Hazrat ﷺ ne Nabuwat ki Dawat aur munadi shuru ki thi wo barabar madadgar rahe they, isliye Nabi ﷺ ko unki wafaat ka bada Sadma hua _,"*

*★_ Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha ka inteqal:- Abu Taalib se teen saal pichhe Nabi ﷺ ki pyari Bivi Tahira Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha ne inteqal farmaya, Jinhone apna sara maal v zar Nabi ﷺ ki khushi per qurban aur Allah ki raah me Sarf kar diya tha, Sabse pehle islam layi thi'n, Jibrai'l Alaihissallam ne unko Allah ka Salam pahunchaya tha, Unke guzar jane ka ranj Nabi ﷺ ko bahut hua _,"*
[10/30, 5:21 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Quresh ne Nabi ﷺ ko zyada se zyada satana shuru kar diya, Ek dafa Ek Shareer ne Nabi ﷺ ke sar per keechad fai'nk di, Aan Hazrat ﷺ usi tarah ghar me dakhil hue, Nabi ﷺ ki beti uthi, Wo Sar dhulati jati thi'n aur Roti jati thi'n, Nabi ﷺ ne farmaya:- Payari Beti ! Tum kyu roti ho, Tere baap ki hifazat Allah khud farmayega _,"*

*★_ Nabi ﷺ ka Tableeg ke liye Mukhtalif Qaba'il ki jaanib Safar karna :-*
*"_ Agarche Abu Taalib ka Sahara jata raha, Agarche Khadija Raziyallahu Anha Jesi Bivi jo musibato aur Takleefo me Nihayat gam gusaar thi'n, Juda ho gayi'n, Magar Nabi ﷺ ne ab zyada Josh se Waaz ka kaam shuru kar diya, Chuna'nche thode hi dino baad Nabi ﷺ Makka se nikle aur berooni Qaba'il ko waaz ke liye Tashreef le gaye, Nabi ﷺ ke saath is safar me Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu they, Makka aur Taaa'if ke darmiyan jitne Qabile they sabko waaz sunate, Toheed ki munaadi karte hue Nabi ﷺ Payada Pa ( paidal ) Taaa'if pahunche _,"*

*★_ Taa'if me Banu Saqeef Abaad they, Sar Sabz mulk aur Sard Pahaad per rehne ki vajah se unke guroor ki koi had na thi, Abdyalail, Masoud, Habeeb teeno Bhai waha'n ke Sardaar they, Nabi ﷺ pehle unhi se milne aur unhe islam ki dawat farmayi _,"*

*★_ Unme se ek bola Mai'n Kaaba ke saamne Daadhi mundwa du'n Agar tujhe Allah ne Rasool banaya ho _,"*
*"_ Doosra bola :- Kya Allah ko tere siva aur koi bhi Rasool banane ko na mila, Jise Chadhne ki Sawaari bhi mayassar nahi, Usne Rasool banana tha to kisi Haakim ya Sardaar ko banaya hota _,"*
*"_ Teesra bola k Mai'n Tujhse kabhi baat hi nahi karunga, Kyu'nki Agar tu Allah ka Rasool hai Jesa k Tu kehta hai tab to ye bahut khatarnak baat hai k Mai'n tere kalam ko rad karu aur Agar Tu Allah per jhoot bolta hai to mujhe Shayan nahi k tujhse baat karu'n _,"*
[10/31, 7:14 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Ab Mai'n Tum se sirf ye chahta hu'n k Apne Khayalaat Apne hi paas rakho, Esa na ho k Ye Khayalaat doosre Logo'n ke thokar khane ka sabab ban jaye'n_,"*
*★_ Nabi ﷺ ne waaz kehna shuru farmaya to un Sardaaro ne Apne gulamo aur Shehar ke ladko ko sikhla diya, Wo log Waaz ke waqt Nabi Kareem ﷺ per itne patthar fainkte k Huzoor ﷺ lahu me tar ho jate, Khoon beh beh kar joote me jam jata aur Wazu ke liye Paa'nv se joota nikaalna mushkil ho jata _,"*

*★_ Ek dafa Badmasho ne Nabi ﷺ ko is qadar gaaliya'n di, taaliya'n bajayi, Cheenke lagayi k Allah ke Rasool ﷺ ek makaan ke ahaate me jane per Majboor ho gaye, Ye jagah Utba v Shayba Farzandane Rabiya ki thi, Unhone door se is haalat ko dekha aur Nabi ﷺ per taras kha kar Apne gulam Addaas ko kaha k Ek plate me Angoor rakh kar us Shakhs ko de aao, Gulaam ne Angoor Nabi ﷺ ke saamne rakh diye, Nabi ﷺ ne Angooro ki taraf haath badaya aur Zubaan se farmaya - "Bismillaah" aur fir Angoor khana shuru kiya_,"*

*★_ Addaas ne hairat se Nabi ﷺ ki taraf dekha aur fir kaha :- Ye Esa kalam hai k Yaha'n ke Bashinde nahi bola karte, Nabi ﷺ ne farmaya- Tum kaha'n ke ho aur Tumhara mazhab kya hai ?*
*"_ Addaas ne jawab diya- Mai'n Iysaa'i hu'n aur Naynwa ka Bashinda hu'n _," Nabi ﷺ ne farmaya- Kya Tum Marde Saleh Yunus bin Mati Alaihissallam ke Shehar ke ho _,"*
*"_ Addaas ne kaha :- Aapko kya khabar k Yunus bin Mati Alaihissallam kon they aur kese they ? Nabi ﷺ ne farmaya:- Wo mere Bhai hai'n, Wo bhi Nabi they aur Mai'n bhi Nahi hu'n _,"*
*"_ Addaas ye Sunte hi Jhuk pada aur usne Nabi ﷺ ka Sar, Haath, Qadam choom liye _,"*

*★_ Utba v Shayba ne door se Gulaam ko esa karte dekha aur Aapas me kehne lage - lo Gulaam to haatho se nikal gaya, Jab Addaas Apne Aaqa ke paas lot kar gaya to unhone kaha- Kambakht tujhe kya ho gaya tha k us shakhs ke haath Paa'nv Sar choomne lag gaya tha, Addaas ne kaha- Huzoor E Aali ! Aaj Us Shakhs se behtar roo'e zameen per koi bhi nahi, Usne mujhe esi baat batayi jo sirf Nabi hi batla sakta hai_,"*
*"_ Unhone Addaas ko daa'nt diya k khabardaar kahi'n Apna Deen na chhod bethna, Tera Deen to uske Deen se behtar hai _," ( Tibri - 1/75 )*
[11/1, 7:14 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Isi muqam per ek dafa waaz karte hue Allah ke Rasool ﷺ ke itne chote lagi'n k Nabi ﷺ behosh ho kar gir pade, Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ne Aapko Apni peeth per uthaya, Abaadi se bahar le gaye, Pani ke chhee'nte diye, To hosh aaya _,"*

*★_ Is Safar me itni Takleefe aur Aziyato ke baad ek shakhs tak ke Musalaman na hone ke ranj aur sadme ke waqt bhi Nabi ﷺ ka Dil Allah ki Azmat aur Muhabbat se bharpoor tha, Us waqt Jo Dua Huzoor ﷺ ne maangi uske Alfaaz ye hai'n:-*

*"_ ( Tarjuma) ilaahi Apni Kamzori, besaro samaani  aur Logo'n ki Tehqeer ki baabat tere saamne fariyaad karta hu'n Tu Sab Reham karne walo se zyada Reham karne wala hai, Dardmanda Aajizo ka Maalik tu hi hai aur Mera Maalik bhi tu hi hai, Mujhe kiske supurd kiya jata hai, Kya begana tursh ru ke ya us Dushman ke jo kaam per qaabu rakhta hai lekin jab mujh per tera gazab nahi, To mujhe iski koi parwaah nahi Kyu'nki teri Aafiyat mere liye zyada Wasee hai, Mai'n Teri zaat ke Noor se panaah chahta hu'n Jisse sab Tareekiya'n Roshan ho jati hai aur Duniya v Deen ke kaam usse theek ho jate Hai'n k Tera gazab mujh per utre ya teri Razamandi mujh per waarid ho, Mujhe teri hi Razamandi aur khush noodi darkaar hai aur neki karne ya badi se bachne ki taaqat mujhe teri hi taraf se milti hai _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Taa'if se waapas hote hue ye bhi farmaya:- Mai'n in Logo'n ki Tabaahi ke liye kyu Dua karu'n Agar ye log imaan nahi laate to kya hua, Ummeed hai k inki Aainda nasle'n zaroor ek Allah per imaan lane wali Ho'ngi _,"*
*( Bukhari-3231, 7389, Muslim- 4653)*
[11/2, 6:44 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mukhtalif maqamaat per Nabi ﷺ ka Tableeg ke liye Jana _,*
*"_Makka me Waapas aa kar Nabi ﷺ ne ab esa karna shuru kiya k mukhtalif Qabilo ki sakunat gaaho me Tashreef le jate ya Makka se bahar chale jate aur jo koi Musafir aata jata mil jata use imaan aur Allah Parasti ka waaz farmate, inhi Ayyam me Qabila Banu Kundah me Tashreef le gaye, Sardare Qabila Abdullah ke Yaha'n bhi pahunche, Unhe farmaya k tumhare baap ka naam Abdullah tha, Qabila Qabila Banu Hanifa ke gharo me Tashreef le gaye, Unhone saare Arab bhar me sabse badtar tareeqe se Nabi ﷺ ka inkaar kiya,*

*★_ Qabila Banu Aamir bin Sa'asa ke paas gaye, Sardare Qabila ka naam Bahira bin Faraas tha, Usne Dawate islam sun kar Nabi ﷺ se puchha:- Bhala agar hum teri baat maan le'n aur Tu mukhalfeen per gaalib aa jaye to kya Tu ye waada karta hai k tere baad ye Amr ( Nabuwat) mujhse Mutalliq hoga, Nabi ﷺ ne farmaya- Ye To Allah ke Akhtyar me hai, Wo jesa chahega mere baad use muqarrar karega, Bahira bola :- Khoob ! Is waqt to Arab ke saamne Seena Sipar hum bane aur Jab Tumhara kaam ban jaye to maze koi aur udaye, Jao humko tere kaam se kuchh sarokaar nahi, Qaba'il ke safar me Huzoor ﷺ ke Rafeeq Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu they _,*

*★_ Suwaid bin Saamit Raziyallahu Anhu ka imaan lana:-*
*"_ inhi Ayyam me Nabi ﷺ ko Suwaid bin Saamit Raziyallahu Anhu mile, Unka Laqab Apni Qaum me Kaamil tha, Nabi ﷺ ne unhe Dawate islam farmayi, Wo bole :- Shayad Aapke paas wohi kuchh hai Jo mere paas bhi hai, Nabi ﷺ ne puchha- Tumhare paas kya hai ? Wo bole - Hikmate Luqman _,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Bayan karo _," Unhone kuchh Umda Ash'aar sunaye, Nabi ﷺ ne farmaya:- Ye Achhaa kalam hai, Lekin mere paas Qur'an jo isse Afzal tar hai aur Hidayat aur Noor hai aur Wo Qur'an sun kae islam le aaye, Jab Yasrab lot kar gaye to Qaum Khajraj ne unhe qatl kar dala _," (Tibri 232)*
[11/3, 4:48 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sifarat Yasrab me Tableeg farmana aur Ayaas bin Ma'az Ka Raahe Yaab hona _,*
*"_ Unhi Ayyam me Abul Haisar Anas bin Ra'afe Makka aaya, Uske Saath Bani Abdal As-Shahal ke bhi chand Nojawan they, Jinme Ayaas bin Ma'az bhi they, Ye Log Quresh ke saath Apni Qaum Khajraj ki taraf se muahida karne aaye they, Nabi ﷺ inke paas aaye aur ja kar farmaya :- Mere paas esi cheez hai Jisne tum sabki Behood hai, Kya tumhe kuchh ragbat hai ? Wo bole - Esi kya cheez hai ? Farmaya :- Mai'n Allah Ka Rasool hu'n, Makhlooq ki taraf Mab'ous hu'n, Bandhane ilaahi ki Dawat deta hu'n k Allah hi ki ibaadat Kare'n aur Shirk na kare'n, Mujh per Allah ne kitaab Naazil ki hai _,"*

*★_ Fir unke Saamne islam ke usool bayan farmaye aur Qur'an Majeed bhi padh kar Sunaya, Ayaas bin Ma'az jo Abhi Nojawan they, Sunte hi bole :- Ey meri Qaum ! Ba khuda ye tumhare liye Us Maqsad se behtar hai Jiske liye Tum Yaha'n aaye ho _,"*

*★_ Anas bin Ra'afe ne Kankriyo ki mutthi bhar kar uthayi aur Ayaas ke moo'nh per Fai'nk maari aur kaha :- Bas Chup reh, Hum is kaam ke liye to nahi aaye _,"*
*"_ Rasulullah ﷺ uth kar chale gaye, Ye Waqi'a Junge Baas se, Jo Aus aur Khajraj me hui, pehle ka hai, Ayaas waapas ja kar chand Roz ke baad mar gaye, Marte waqt unki zuban per Tasbeeh v Tamheed v Tehleel v Takbeer jaari thi, Marhoom ke Dil me Nabi ﷺ ke usi waaz se islam ka beej boya gaya tha, Jo marte waqt phal phool le aaya tha _,"*
[11/4, 7:37 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Zumadazdi Raziyallahu Anhu ka Waqi'a quboole islam :-*
*"_ Inhi Ayyam me Zumadazdi Raziyallahu Anhu Makka me aaye, Ye Yaman ke Bashinde they aur Arab ke Mash'hoor Afso'n gar ( Jadugar) they, Jab Unhone suna k Muhammad ﷺ per Jinnaat ka Asar hai to Unhone Quresh se kaha k Mai'n Muhammad ﷺ ka ilaaj Apne Mantar se kar sakta hu'n, Ye Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hue aur kaha :- Muhammad ﷺ Aao tumhe mantar Suna'o, Nabi ﷺ ne farmaya k pehle mujhse sun lo, Fir Aan Hazrat ﷺ ne unhe sunaya :-*

*"_ ( Tarjuma) Sab Tareef Allah ke Waaste hai, Hum uski Ni'amato ka shukr ada karte hai'n aur Har Kaam me usi ki iaanat chahte hai'n, Jise Allah raah dikhata hai use koi gumraah nahi kar sakta aur jise Allah hi Rasta na dikhlaye uski koi rehbari nahi kar sakta, Meri Shahadat ye hai k Allah ke siva ibaadat ke laa'iq koi bhi nahi, Wo Yakta hai uska koi shareek nahi, Mai'n ye bhi Zaahir karta hu'n k Muhammad ﷺ Allah ka Banda aur Rasool hai _,"*

*★_ Zumadazdi Raziyallahu Anhu ne is qadar suna tha Bol uthe k inhi Kalmaat ko fir suna dijiye, Do Teen dafa Unhone inhi Kalmaat ko suna aur fir be Akhtyar bol uthe:-*
*"_ Maine bahut se Kaahin dekhe aur Saahir dekhe, Shayar sune lekin esa kalaam to Maine kisi se bhi na suna, Ye Kalmaat to ek Athaah Samandar jese hai'n, Muhammad ﷺ ! Apna haath badao k Mai'n islam ki Bayt kar lu'n _,"*
*( Muslim 2008, Nasa'i 3278, ibne Maaja 1894)*
[11/5, 7:45 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mairaaj :- 27 Rajjab 10 Nabuwat ko Mairaaj hui, aur Allah Ta'ala ne Nabi ﷺ ko "Malakutus Samawati Wal Ardh" ki sayr karayi, Avval Masjidul Haraam se Baitul Muqaddas tak Tashreef le gaye, Waha'n imaam ban kar Ambiya Alaihissallam ko Namaz padhayi, For Aasmano ki  Sayr karte aur Ambiya Alaihissallam se unke maqamaat per milte hue "Sidratul Muntaha" aur "Bait Mamoor" tak pahunche aur waha'n se qurbe Huzoori Khaas haasil hua aur tarah tarah ki wahi se Musharraf hue,*

*★_ Allama ibne Qayyim Rehmatullah Alaihi likhte hain k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha, Muawiya Raziyallahu Anhu v imaam Hasan Basri Reh, se marvi hai k Sayr Rooh Mubarak ko hui thi aur Jism Mubarak apni jagah mojood tha, Ulma e Jamhoor ka qaul hai k Mairaaj ka Safar Badan Mubarak ke saath hua tha _,"  ( Zaadul Ma'ad - 3/40)*

*★_ Shah Waliullah Reh. Farmate hai'n:- Nabi ﷺ ko Masjid Aqsa tak fir Sidratul Muntaha tak aur jaha'n tak k Allah ne chaha, Sayr karayi gayi, Ye Sab kuchh Jism Mubarak ke saath bedaari me tha, Lekin ye ek muqaam hai Jo Misaal aur Shahadat ke darmiyan Barzakh hai aur Har Do Mazkoora ke Ahkaam ka jaama hota hai aur Rooh aur Ma'ani ne jism ko Qubool kar ke Tamseel Akhtyar kiya, isliye in Waqiaat me se har Waqie ki ek Haqeeqat hai _,"*

*★_ Shabe Mairaaj Nabi ﷺ ke Saamne Ek Bartan doodh ka, Ek Bartan Sharab ka pesh kiya gaya aur Aan Hazrat ﷺ ne doodh ko pasand farmaya aur Jibrai'l Alaihissallam ne batla diya k Aapne Fitrate Asliya ko pasand farmaya, Agar Sharab ka Bartan Aap le lete to Aapki ummat bhatak jaati, Dekho Nabi ﷺ Apni Ummat ko Fitrat per jama karne wale they aur Doodh se muraad yahi hai k Ummat fitrat ko pasand kare, Duniyavi Lazzato ko pasand na kare _,*
[11/6, 11:24 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ka Buraaq per Sawar hona, Masjide Aqsa tak Sayr, Ambiya Alaihissallam ki imaamat, Ambiya Alaihissallam ke saath mulaqaat aur Mufakhrat, Aasmaan per ek ke baad digar chadna, Darja ba darja Talluqat Tab'i se nikal kar Mustavi Rehman ki taraf jana, Sidratul Muntaha, rahe Wo Anwar wo Tajalliyate Rehmani aur Tadbiraate ilahiya, Bayt E Mamoor, Har ek Amr ki Apni Haqeeqat hai _,"*

*★_ Paa'nch Namazo ka Taqarrur bhi Zabane Tajveezi se hua, Ye Paa'nch Namaze Sawab me Pachaas ke barabar hai'n, goya Rab Kareem ne Aahista Aahista ye Samjhaya k Sawab to ( 50 ke barabar) Kaamil hai aur Harj aur Marz utha diya gaya, Ye matlab Hazrat Moosa Alaihissallam ki Sanad se liya gaya hai, Kyu'nki Janabe Mamdooh ( Moosa Alaihissallam) Ummat ki Shinakht me Aksar Ambiya Alaihissallam se badhe hue Hai'n _,"*

*★_ Aksar Mufassireen ne Mairaaj ka zikr Taa'if ki waapsi ke baad kiya hai, Magar imaam Tibri ne Apni kitaab me ibtda e Nabuwat se doosre din hi Mairaaj ka hona Tehreer kiya hai, Unki Taa'ied is daleel se Ba Khoobi hoti hai k Jab Farziyat Namaz ka hukm Shabe Mairaaj me hua aur Nabi ﷺ aur Digar Musalaman us waqt se hi barabar Namaz padhte they to Namaz ki Farziyat ka hukm gyarah ( 11 ) saal tak kyukar Mutakkhir reh sakta hai, Lekin Hasbe Bayan Shah Abdul Haq Muhaddis Dehalvi ( Mindarja Sharah Safar Sa'adat, Safa-36) k pehle sirf do namaze Fajar aur Asr farz hui'n, Koi ishkaal nahi reh jata _,"*
[11/7, 8:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Tufail bin Amru Dausi Raziyallahu Anhu ka inaam lana _,"*
*"_ Unhi dino Tufail bin Amru Dausi Raziyallahu Anhu Makka me aaye, Ye Qabila Daus ke Sardaar they aur Yaman me unke khandaan me Ra'isana hukumat thi, Tufail Raziyallahu Anhu bizzaat khud Shayar v Danishmand Shakhs they, Ahle Makka ne Abaadi se bahar ja kar unka istaqbal kiya aur A'ala paimane per unki khidmat aur tawazo ki, Tufail Raziyallahu Anhu ka Apna bayan hai k Mujhe Ahle Makka ne ye bhi batlaya k ye Shakhs jo humme se nikla hai, Usse zara bachna, Use Jaadu aata hai, Jaadu se baap bete, zan v Shohar, Bhai Bhai me juda'i daal deta hai, Hamari jami'at ko pareshan aur hamare kaam bigaad) diye hai'n, Hum nahi chahte k tumhari Qaum per bhi esi hi koi musibat pade, isliye hamari zor se ye Nasihat hai k na uske paas jaana, na uski baat sunna aur na khud baat cheet karna _,"*

*★_ Ye baat unhone esi umdgi se mere zahan nasheen kar di k jab Mai'n Kaaba me jaana chahta to Kaano ko Rooi se band kar leta taki Muhammad ﷺ ki Awaaz ki bhanak bhi mere kaan me na pad jaye, Ek Roz Mai'n Subeh hi Khana Kaaba me gaya, Nabi ﷺ namaz padh rahe they, Chu'nki Allah ki masiyat ye thi k unki Awaaz mere kaan tak zaroor pahunche, isliye Maine suna k Ek nihayat Ajeeb Kalaam wo padh rahe Hai'n_,"*

*★_ Us waqt Mai'n Apne Aapko malamat karne laga k Mai'n khud Shayar hu'n, Ba ilm hu'n, Achchhe bure ki tameez rakhta hu'n, Fir kya vajah hai ? Aur konsi Rok hai k Mai'n unki baat na sunu, Achchhi baat hogi to maanunga varna nahi maanunga, Mai'n ye iraada kar ke thehar gaya, Jab Nabi ﷺ waapas ghar ko chale gaye to Mai'n bhi pichhe pichhe ho liya aur jab Makaan per haazir hua to Nabi ﷺ ko Apna Waqia Makka aane ka, Logo'n ke behkane ka, Kaano me Rooi lagane aur Aaj Huzoor ﷺ ki zubaan se kuchh sun pane ka keh sunaya aur arz kiya k mujhe Apni baat sunaye'n, Nabi ﷺ ne Qur'an padha, Ba khuda ! Maine esa Pakiza kalaam kabhi suna hi na tha, Jo is qadar Neki aur insaaf ki Hidayat karta ho _,"*

*★_ Algaraz Tufail Raziyallahu Anhu usi waqt Musalaman ho gaye, Jise Quresh baat baat me Makhdoom v muta'a kehte they, Wo baat ki baat me Muhammad ﷺ ka Dilo jaan se Khaadim aur Muttaba ban gaya, Quresh ko ese Shakhs ka Musalman hona Nihayat Shaaq v Nagawar guzra _,"*
*( Ibne Sa'ad fi Al Tabaqqt- 14/176)*
[11/8, 7:41 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abuzar Giffari Raziyallahu Anhu Ka imaan lana _,"*
*"_ Abuzar Giffari Raziyallahu Anhu Apne Shehar Yasrab hi me they k Unhone Nabi ﷺ ke mutalliq kuchh udti si khabar suni, Unhone Apne Bhai se kaha k Tum Makka Jao, Makka me us Shakhs se mil kar aao aur fir mujhe batao _,"*
*"_ Anees biraadar Abuzar Ek Mash'hoor Faseeh Shayar, Zubaan Aawar they, Wo Makka me aaye, Nabi ﷺ se mile, Fir Bhai ko bataya k Maine Muhammad ﷺ ko ek esa Shakhs paya Jo Nekiyo'n ke karne ka aur Shar se bachne ka hukm deta hai_,"*

*★_ Abuzar Raziyallahu Anhu bole - itni baat se to kuchh tasalli nahi hoti, Aakhir khud paidal chal kar Makka pahunche, Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu ko Nabi ﷺ ki Shinakht na thi aur kisi se daryaft karna bhi wo pasand na karte they, Zamzam Ka Pani pi kar Kaaba me let rahe they k Ali Murtaza Raziyallahu Anhu aaye, Unhone paas khade ho kar kaha k ye to koi maloom hota hai, Abuzar Raziyallahu Anhu bole- haa'n, Ali Raziyallahu Anhu ne kaha - Achchha mere Yaha'n chalo, Ye Raat ko Wahi'n rahe, na Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ne kuchh puchha, na Abuzar Raziyallahu Anhu ne kuchh kaha _,"*

*★_ Subeh hui to Abuzar Raziyallahu Anhu fir Kaaba me aa gaye, Dil me Aan Hazrat ﷺ ki talash thi, Magar kisi se daryaft nahi karte they, Ali Murtaza Raziyallahu Anhu fir aa pahunche, Unhone farmaya- Shayad tumhe Apna thikana na mila, Abuzar Raziyallahu Anhu bole - haa'n, Ali Raziyallahu Anhu fir saath le gaye, Ab unhone Puchha- Tum kon ho aur kyu Yaha'n aaye ho ? Abuzar Raziyallahu Anhu ne kaha- Raaz rakho to Mai'n batla deta hu'n, Ali Raziyallahu Anhu ne vaada kiya _,"*

*★_ Abuzar Raziyallahu Anhu ne kaha- Maine Suna hai k Shehar me ek Shakhs hai Jo Apne Aapko Nabi Allah batlata hai, Maine Apne Bhai ko bheja tha, Wo Yaha'n se kuchh tasalli bakhsh baat le kar nahi gaya, isliye Mai'n khud aaya hu'n, Ali Raziyallahu Anhu ne kaha - Tum khoob aaye ho aur Khoob hua k mujhse mile, Dekho Mai'n Unhi ki khidmat me ja raha hu'n, Mere Saath chalo, Mai'n pehle andar ja kar dekh lu'nga, Agar us waqt milna munasib na hoga to Mai'n Diwaar ke saath lag kar khada ho jaunga, goya Joota durust kar raha hu'n _,"*
[11/9, 7:23 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Algaraz Abuzar Raziyallahu Anhu Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke saath khidmat e Nabvi ﷺ me pahunche aur arz kiya k mujhe batlaya jaye k islam kya hai ? Nabi ﷺ ne islam ki baabat bayan farmaya aur Abuzar Raziyallahu Anhu usi waqt Musalaman ho gaye,*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya :- Abuzar ! Tum abhi is baat ko chhupaye rakho aur Apne watan ko chale jao, Jab Tumhe hamare zahoor ki khabar mil jaye tab aa jaana, Abuzar Raziyallahu Anhu bole - Ba-Khuda! Mai'n to un Dushmano me elaan karne jaunga, Ab Abuzar Raziyallahu Anhu Kaaba ki taraf aaye, Quresh jama they, inhone sabko suna kar Ba Awaaz buland Kalma Shahadat padha, Quresh ne kaha - is be Deen ko maaro, Logo'n ne inhe maarna shuru kar diya, Abbas Raziyallahu Anhu aa gaye, Unhone inhe jhuk kar dekha aur kaha - Kambakhto ! Ye to Qabila Banu Gifaar ka Aadmi hai, Jaha'n tum Tijarat ko jate aur Khajoore laate ho, Log hat gaye, Agle Din inhone fir Sabko Suna kar Kalma padha, Fir Logo'n ne maara aur Abbas Raziyallahu Anhu ne inko chhudaya aur ye Apne Watan ko chale aaye _,"*
*"( Bukhari - 3522)*
  
[11/10, 7:29 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Asbaab E Hijrat:- 11 Nabuwat ke Mausam E Hajj ka Zikr hai k Nabi ﷺ ne Raat ki Tareeki me Shehar Makka se chand Meel pare Muqame Uqba per Logo'n ko baate karte suna, Us Awaaz per Allah ke Nabi ﷺ unke paas pahunche, Ye 6 Aadmi they, Umama Asad bin Zarara, Auf bin Harisa, Ra'afe bin Maalik, Qutba bin Aamir bin Hadeed, Uqba bin Aamir aur Sa'ad bin Rabi'a, Ye Yasrab se aaye they,*

*★_ Unke Saamne Nabi ﷺ ne Allah ki Azmat v Jalaal ka bayan shuru kiya, Unki Muhabbat ko Allah ke saath garmaya, Buto se unko nafrat dilayi, Neki v Pakeezgi ki taleem de kar Gunaaho aur Buraiyo'n se mana farmaya, Qur'an Majeed ki tilawat farma kar unke Dilo'n ko Roshan farmaya, Ye Log Agarche But Parast they Lekin unhone Apne Shehar ke Yahoodiyo'n ko baar baar ye zikr karte hue suna tha k Ek Nabi Anqareeb Zaahir hone wala hai, is taleem se Wo usi waqt imaan le aaye aur Jab Apne Watan ko laut kar gaye to Deen E Haqq ke Sachche Munaad ban gaye _,"*

*★_ Wo har ek ko ye Khush Khabri sunate they k Wo Nabi hai'n, Jiska Tamaam Aalam ko intezar tha, Aa gaya, Hamare Kaano ne unka Kalam suna hai, Hamari Aankho'n ne unka Didaar kiya, Unhone humko Zinda ilaah se mila diya k Duniya ki zindgi aur Maut ab hamare saamne hai _,"*

*★_ Un logo ki Basharat le jane ka Natija ye hua k Yasrab ke ghar ghar me Aan Hazrat ﷺ ka zikr hone laga aur Agle saal 12 Nabuwat ko Yasrab ke 12 Bashinde Makka me Haazir hue aur Nabi ﷺ ke Faizaan se Daulat E imaan haasil Ki, Un Logo'n ne Jin baato per Nabi ﷺ se Bayt ki thi wo ye hai:-*
*"(1)_ Hum Rab E Waahid ki ibaadat karenge aur Kisi ko uska Shareek nahi banayege,*
*(2)_ Hum Chori aur Zinakaari nahi karenge,*
*(3)_ Hum Apni Aulaad ( Ladkiyo'n ) ko qatl nahi karenge,*
*(4)_ Hum kisi per Jhooti Tohmat nahi lagayenge aur na kisi ki chugli kiya karenge,*
*(5)_ Hum Nabi ﷺ ki ita'at har ek Achchhi baat me kiya karenge _,"*
[11/11, 8:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu:-*
*"_ Jay ye log Waapas jane lage to Aan Hazrat ﷺ ne unki taleem ke liye Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ko saath kar diya, Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu Ameer gharane ke laadle bete they, Jab ghode per sawaar ho kar nikalte to Aage Pichhe Gulam chala karte they, Badan per 200 dirahm se kam ki poshak kabhi nahi pehante, Fir jab inko islam ke Tufail Roohani Aysh haasil hua tab un jismani Araa'ish aur Numa'ish ko unhone bilkul chhod diya tha, Jin Dino ye Madina me Deene Haq ki munaadi karte aur Tablig kiya karte they, Un dino unke Kandhe per sirf kambal ka ek chhota sa tukda hota tha, Jisko Agli taraf se keekar ke kaanto se atka liya karte they _,"*

*★_ Bayt E Uqba Saniya :-*.
*'_ Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu Madina Munawwara me Asad bin Zarara Raziyallahu Anhu ke ghar ja kar utre they aur inki Madina wale " Al Muqri" ( Padhane wala Ustaad ) kaha karte they, Ek Din Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu v Asad bin Zarara Raziyallahu Anhu aur Chand Musalaman "Bair e Marq" per jama hue, Ye gor karne ke liye k Bani Abd Al- Shahal aur Bani Zafar me Kyu kar islam ki munaadi ki jaye _,"*

*★_ Sa'ad bin Ma'az aur Usaib bin Huzair in Qaba'il ke Sardaar they aur Abhi Musalaman na hue they, Inhe bhi khabar hui, Sa'ad bin Ma'az ne Usaid bin Huzair se kaha - Tum kis gaflat me pade ho, dekho ye dono hamare gharo me aa kar hamare bewaqoofo ko behkane lage, tum jao unhe jhidak do aur keh do k hamare mohalle me fir kabhi na aaye, Mai'n khud esa karta, Magar isliye khamosh hu'n k Asad meri khaala ka beta hai _,"*

*★_ Usaid bin Huzair Apna Hathiyar le kar rawana hue, Asad bin Zarara Raziyallahu Anhu ne Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ko kaha - Dekho ye Qabile ka Sardaar aa raha hai, Allah kare k wo tumhari baat maan jaye, Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ne kaha k Agar wo aa kar beth gaya to usse zaroor kalaam karunga, Itne me Usaid bin Huzair aa pahunche aur Khade khade gaaliya'n dete rahe aur ye bhi kaha k hamare Ahmaq nadaan Logo'n ko fuslane aaye ho _,"*
[11/12, 3:55 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ne kaha- Kaash Aap beth kar kuchh sun le'n, Agar Pasand Aaye, Qubool farmaye'n, Na pasand ho to use chhod jaye'n, Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu ne kaha - Khayr Kya Muza'eqa hai, Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu Samjhaya k islam kya hai aur Fir unhe Qur'an Majeed bhi padh kar Sunaya, Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu ne sab kuchh chup Chaap suna, Bil Aakhir kaha -- Haa'n ! Ye batlao k jab koi tumhare Deen me dakhil hona chahta hai to tum kya karte ho ?*

*★_ MUs'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ne kaha- Nehla kar, paak kapde pehna kar Kalma Shahadat padha dete Hai'n aur Do Raka'at nifl padha dete Hai'n_,"*
*"_ Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu uthe, GusL kiya, Kapde dhoye, Kalma Shahadat padha aur nifl ada kiye, Fir kaha - Mere pichhe ek aur Shakhs hai, Agar tumhara Peru ho gaya to fir koi tumhara mukhtalif na rahega aur Mai'n ja kar abhi tumhare paas bhej deta hu'n _,"*

*★_ Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu chale gaye, idhar Sa'ad bin Ma'az Unke intezar me they, Door se Chehra dekhte hi bole - Dekho Usaid ka wo chehra nahi hai jo jate waqt tha, Jab Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu aa bethe to Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu ne puchha- Kya hua ? Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu bole - Maine unhe samjha diya hai aur wo kehte Hai'n k hum tumhari mansha ke khilaaf kuchh nahi karenge, Magar Waha'n to ek aur Haadsa pesh aaya, Banu Haarisa waha'n aa gaye aur Asad bin Zarara ko isliye qatl karne per amaada hai'n k wo tumhara Bhai hai _,"*

*★_ Ye Sun kar Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu gusse me bhar gaye aur Apna Harba sambhal kar khade ho gaye, Unhe Dar tha k Banu Haarisa unke Bhai ko na maar daale, Unhone chalte waqt ye bhi kaha k Usaid tum to kuchh bhi kaam na bana kar aaye _,"*
[11/13, 7:56 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ke Waaz per Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu Ka imaan Qubool karna_,"*
*"_ Sa'ad waha'n pahunche, dekha k Mus'ab Raziyallahu Anhu v Asad Raziyallahu Anhu dono itminaan se bethe hue Hai'n, Sa'ad Raziyallahu Anhu samajh gaye k Usaid Raziyallahu Anhu ne mujhe inki baate sunne ke liye bheja hai, Ye khayal aate hi unhe gaaliya'n dene lage aur Asad Raziyallahu Anhu ko ye kaha k Agar mere aur tumhare darmiyan Qarabat na hoti to tumhari kya majaal thi k hamare mohalle me chale aate _,"*

*★_ Asad Raziyallahu Anhu ne Mus'ab Raziyallahu Anhu se kaha - Dekho ye bade Sardaar hai'n aur Agar inko samjha do to fir koi do Aadmi bhi tumhare mukhtalif na reh jayenge _,"*
*"_ Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ne Sa'ad se kaha - Aaiye, beth Jaye'n, Koi baat Kare'n, Hamari baat pasand aaye to Qubool farmaye'n varna inkaar kar dijiye_,"*

*★_ Sa'ad Raziyallahu Anhu Harba rakh kar beth gaye, Mus'ab Raziyallahu Anhu ne unke saamne islam ki Haqeeqat bayan ki aur Qur'an Majeed bhi sunaya, Aakhir Sa'ad Raziyallahu Anhu ne bhi wohi sawal kiya jo Usaid Raziyallahu Anhu ne kiya tha, Algaraz Sa'ad Raziyallahu Anhu uthe, GusL kiya, Kapde dhoye, Kalma padha, nifl ada kiye aur Hathiyar le kar Apni Majlis me Waapas aaye _,"*

*★_ Aate hi Apne Qabile ke Logo'n ko pukaar kar kaha - Ey Bani Abd Al- AShahal ! tum Logo'n ki mere bare me kya raay hai ? Sabne kaha k Tum hamare Sardaar ho, Tumhari Raay, Tumhari talash behtar aur Aala hoti hai, Sa'ad Raziyallahu Anhu bole - Suno Khwah koi Mard hai ya Aurat, Mai'n usse baat karna Haraam samajhta hu'n jab tak k wo Allah aur Rasool ﷺ per imaan na laye _,"*
[11/14, 8:19 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Unke Kehne Ka ye Asar hua k Bani Abd Al-AShahal me Shaam tak koi Mard islam se khaali na raha aur Tamaam Qabila ek din me Musalaman ho gaya, Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu ki taleem se islam ka charcha isi tarah Ansar ke Tamaam Qabilo me fail gaya aur iska Natija ye hua k Agle Saal 13 Nabuwat ko 73 Mard 2 Aurte'n Yasrab ke Qafile me mil kar Makka aaye, Unko Yasrab Ke Ahle imaan ne isliye bhi bheja tha k Rasulallah ﷺ ko Apne Shehar me aane ki Dawat de'n aur Nabi ﷺ se manzoori Haasil Kare'n _,"*

*★_ Ye Raastbaazo ( imaan Walo) ka giroh usi muraharik muqaam per Jaha'n 2 Saal se us shehar Yasrab ke mushtaq haazir hua karte they, Raat ki Tareeki me pahu'nch gaya aur Allah ke Barguzida Rasool ﷺ bhi Apne Taaya Abbaas Raziyallahu Anhu ko saath liye hue Waha'n ja pahunche _," ( Tibri -244)*

*★_ Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ne ( Jo Abhi Musalaman na hue they) us waqt ek baat kaam ki kahi, Unhone kaha - Logo'n Tumhe maloom hai k Quresh Makka Muhammad ﷺ ke jaani dushman hai'n, Agar tum inse koi Ahad v qaraar karne lago to pehle samajh lena k ye ek naazuk aur mushkil kaam hai, Muhammad ﷺ se Ahad v Paimaan Surkh v Syaah Ladaaiyo'n ko dawat dena hai, ( Surkh v Syaah ladayi se muraad Sakht Khoo'nrezi ladayi hai aur Syaah ladayi se muraad Tareek Anjaam wali ladayi muraad hoti hai) Jo kuchh karo Soch Samajhkar karo varna behtar hai k kuchh bhi na karo _,"*

*★_ Un Raastbaazo ( imaan Walo) ne Abbaas Raziyallahu Anhu ko kuchh bhi jawab na diya, Haa'n Rasulallah ﷺ se arz kiya k Huzoor ﷺ se arz kiya k Huzoor ﷺ kuchh irshad farmaye'n _,"*
[11/15, 7:40 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Rasulallah ﷺ ne unko Allah ka Kalaam jo Allah ka paigam insaan ki taraf hai, padh kar Sunaya, Jiske sunne se wo imaan v Yaqeen ke Noor se bharpoor ho gaye, Ab sab Logo'n ne arz kiya k Allah ke Nabi hamare Shehar me chal kar base taki hume poora poora faiz Haasil ho sake_,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Kya tum Deen ki isha'at me meri poori poori madad karoge ? Aur jab Mai'n tumhare Shehar me ja basu aur mere Saathiyo'n ki Himayat Apne Ahlo Ayaal ki maanind karoge ?*
*"_ imaan walo ne poochha:- Esa karne ka hum ko mu'awza kya milega ? Nabi ﷺ ne farmaya- Behshat ( Jannat jo nijaat aur Allah ki khush noodi ka Mahal hai )*
*"_ imaan walo ne arz kiya- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Ye to hamari tasalli farma dijiye k Huzoor ﷺ hum ko kabhi chhod to na denge,_" Nabi ﷺ ne farmaya- Mera Jeena, mera Marna tumhare saath hoga _,"*

*★_ Is Aakhri fikre ka sunna tha k Aashiqaan e Sadaqat Ajab Sarwar v nishaat ke saath Jaanisaari ki Bayt islam e karne lage, Bar'a bin Ma'aroor Raziyallahu Anhu pehle buzurg hai'n Jinhone us Shab sabse pehle Bayt ki _,*

*★_ Ek Shaitaan ne Pahaad ki choti se ye nazara dekha aur Cheekh kar Ahle Makka ko pukaar kar kaha :- Logo'n ! Aao dekho k Muhammad ﷺ aur Uske Firke ke log tumse ladayi ke mashware kar rahe hai'n_,*
*"_ Rasulallah ﷺ ne farmaya:- Tum us Awaaz ki parwah na karo, Abbaas bin Ubada Raziyallahu Anhu ne kaha - Agar Huzoor ﷺ ki ijazat ho to hum kal hi Makka Walo ko Apni Talwaar ke Johar dikha de'n, Rasulallah ﷺ ne farmaya - Nahi Mujhe Jung ki ijazat nahi _,"*
*( Zaadul Ma'ad -3/48)*
[11/16, 4:26 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ke 12 Naqeeb :-*
*"_ Iske baad Nabi ﷺ ne unme se 12 Shakhso ka intikhab kiya aur unka naam Naqeeb rakha aur ye bhi farmaya k Jis tarah Iysaa bin Mariyam Alaihissallam ne Apne liye 12 Shakhso ko chun liya tha usi tarah Mai'n tumhe intikhab karta hu'n, Taki Ahle Yasrab ( Madina ) me ja kar Deen ki isha'at karo, Makka Walo me Mai'n khud ye kaam karunga _,"*

*★_ Unke Naam ye Hai'n:- Qabil Banu Khazraj ke 9 - Asad bin Zarara Raziyallahu Anhu, Ra'afe bin Maalik Raziyallahu Anhu, Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu ( Ye teeno Uqba Awla me bhi they ) Sa'ad bin Rabi'a Raziyallahu Anhu, Manzar bin Amru Raziyallahu Anhu, Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu, Barah bin Ma'aroor Raziyallahu Anhu, Abdullah bin Amru bin Haraam Raziyallahu Anhu, Sa'ad bin Ubada Raziyallahu Anhu _,"*
*"_ Qabila Aus ke 3 - Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu, Sa'ad bin Khaysma Raziyallahu Anhu, Abul Hasheem bin Tayhan Raziyallahu Anhu_,"*

*★_ Uqba Saniya ki Bayt ke baad Nabi ﷺ ne Un musalmano ko jo Makka se bahar na gaye they lekin Jin per Ab itne zulm v Sitam hone lage they k Pyara Watan unke liye Aag ka pahaad ban gaya, Yasrab chale Jane ki ijazat farma di, In imaan walo ko gharbaar, Qareebi Rishtedaaro'n Aqarib, Baat, Bhai, Zan v Farzand ke chhodne ka zara bhi gam na tha balki Khushi ye thi k Yasrab ja kar Allah Wahdahu La Shareek ki ibaadat poori Asaani se kar sakenge _,"*

*★_ Hijrat karne walo aur gharbaar chhod kar jane walo ko Quresh ki Sakht Mazahmat ka muqabla karna padta tha, Suhaib Roomi Raziyallahu Anhu jab Hijrat kar ke jane lage to Quresh ne unhe aa ghera, kaha - Suhaib Jab Tu Makka aaya tha to muflis v Qallash tha, Yaha'n thehar kar tune hazaaro kamaye, Aaj Yaha'n se jaata hai aur chahta hai k Sab maal v zar le kar chala jayega, Ye to kabh nahi hone wala, Suhaib Raziyallahu Anhu ne kaha - Achchha agar Mai'n Apna Saara Maal v Mata'a tumhe de du'n Tab tum mujhe jane doge ? Kaha - Haa'n, Hazrat Suhaib Raziyallahu Anhu ne saara maal unhe de diya, Nabi ﷺ ne ye qissa sun kar farmaya k is Saude me Suhaib Raziyallahu Anhu ne nafa kamaya _,"*
*( Seerat ibne Hisham - 168)*
[11/17, 8:11 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha kehti hai'n k Mere Shohar Abu Salma Raziyallahu Anhu ne Hijrat ka iraada kiya, Mujhe oun't per chadhaya, Meri god me Mera Bachcha Salma tha, Jab Hum chal pade to Banu Mugira ne aa kar Abu Salma Raziyallahu Anhu ko ghair liya, Kaha- Tu ja Sakta hai, Magar Hamari Ladki ko nahi le ja sakta, Ab Banu Abdul Asad bhi aa gaye, Unhone Abu Salma Raziyallahu Anhu se kaha - Tu ja Sakta hai Magar Bachche ko jo hamare Qabile ka Bachcha hai, Tu nahi le ja sakta_,"*

*★_ Garz Unhone Abu Salma Raziyallahu Anhu se oun't ki muhaar le kar oun't ko bitha diya, Banu Abdul Asad to God ke bachche ko le gaye aur Banu Mugira Umme Salma Raziyallahu Anha ko le aaye, Abu Salma Raziyallahu Anhu jo Deen ke liye Hijrat karna Farz Samajhte they Apne Bivi Bachche ke bager rawana ho gaye_,"*

*★_ Umme Salma Raziyallahu Anha Roz Shaam ko usi jagah Jaha'n Bachcha aur Shohar se alag ho gayi thi pahunch jati, ghanto ro dho kar Waapas aa jati, ek Saal isi tarah rote chillate guzar gaya, Aakhir unke ek chachere Bhai ko Raham aaya aur Dono Qabilo se keh sun kar Umme Salma Raziyallahu Anha ko ijazat dila di k Apne Shohar ke paas chali jaye, Bachcha bhi unko Waapas de diya gaya, Umme Salma Raziyallahu Anha ek oun't per sawaar ho kar Madina ko tanha chal di'n _," ( Seerat ibne Hisham- 108)*

*★_ Esi hi mushkilaat ka saamna taqriban har ek Sahabi ko karna pada tha _,*
[11/18, 8:23 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Ayash Raziyallahu Anhu aur Hisham Raziyallahu Anhu Sahabi bhi unke saath Madina chalne ko tayyar hue they, Ayash bin Abi Rabiya Raziyallahu Anhu to rawangi ke waqt muqarrar jagah per pahu'nch gaye they magar Hisham bin Aas Raziyallahu Anhu ke baabat Quresh ko khabar lag gayi, Unko Quresh ne qaid kar diya, Ayash Raziyallahu Anhu Madina pahunche hi they k Abu Jahal Apne Bhai Hars ke saath Madina pahuncha, Ayash Raziyallahu Anhu unke Chachere Bhai they aur Teeno ki ek Maa'n thi,*

*★_ Abu Jahal v Hars ne kaha k Tumhare baad Walda ki buri haalat ho rahi hai, Usne qasam khayi hai k Ayash ka moo'nh dekhne Tak na sar me kanghi karungi aur na saaye me bethungi, isliye Bhai tum chalo aur Maa'n Ko taskeen de kar aa jaana _,"*

*★_ Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne kaha - Ayash Raziyallahu Anhu mujhe to ye Fareb maloom hota hai, Tumhari Maa'n ke Sar me koi joo'n pad gayi to wo khud hi kanghi kar legi aur Makka ki dhoop ne zara khabar li to wo khud hi saaye me ja bethegi, Meri Raay to ye hai k Tumko Jana nahi chahiye, Ayash Raziyallahu Anhu bole - Nahi, Mai'n Walda ki qasam poori kar ke waapas aa jaunga, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne kaha - Achchha agar yahi raay hai to Sawari ke liye meri ou'ntni le jao, Ye bahut tez raftaar hai, Agar Raaste me tumhe zara bhi shubha guzre to tum is ou'ntni per Asaani se unki giraft se bach kar aa sakoge _,"*

*★_ Ayash Raziyallahu Anhu ne ou'ntni le li, Ye teeno chal pade, Ek Roz raah me ( Makka ke qareeb ) Abu Jahal ne kaha - Bhai Hamara oun't to ou'ntni ke saath chalta chalta thak gaya hai, behtar ye hai k tum mujhe apni ou'ntni per Apne saath sawaar kar lo, Ayash Raziyallahu Anhu bole - behtar, Jab Ayash Raziyallahu Anhu ne ou'ntni bithayi to dono Bhaiyo ne unhe pakad liya, Mashke kas Li aur Makka me isi tarah le kar dakhil hue, Ye dono bade fakhr se kehte they k dekho bewakoofo Ahmako ko yu'n saza diya karte Hai'n, Ab Ayash Raziyallahu Anhu ko bhi Hisham bin Aas Raziyallahu Anhu ke saath qaid kar diya gaya,*

*★_ Jab Nabi Kareem ﷺ Madina Munawwara pahu'nch gaye, Tab Huzoor ﷺ ki tamanna poori karne ke liye Waleed bin Mugira Raziyallahu Anhu Makka me aaye, Qaidkhane se dono ko Raato Raat nikaal kar le gaye _,"*
*( Seerat ibne Hisham -1/167)*

*★_ In Hikayaat se Qara'iyn ye maloom kar sakte hai'n k Hijrat ke waqt bhi Musalamano ko kesi sakht musibato ka Saamna karna padta tha, ghar chhodna bhi bila khaas Jaddo Jahad aur ibtila v imtihaan ke Asaan nahi tha _,"*
[11/19, 12:36 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ko Qatl Ki tadbeer:-*
*"_Jab Musalman Makka me ginti ke reh gaye aur mashoor Sahaba me Se sirf Abu Bakar aur Ali Raziyallahu Anhum hi baqi rahe to Qureshe Makka ne kaha K Ab Muhammad ﷺ Ke qatl kar Dene Ka achcha moqa hai, Qatl ki tadbeer per gor karne ke liye Darul Nadwa me khufiya ijlaas hua, Darul Nadwa Ko Qusa'i bin Kilaab ne qaa'im kiya tha, Ye goya Quresh ka parliament tha, is ijlaas me Najdi ka Ek Tajurbekaar Budha Shaitan bhi Aa kar Shamil hua tha aur Quresh ke mashoor Qaba'il me se Mash'hoor Sardaar mojood they_,* 

*★_ Ek bola - Use pakadkar gale me Toq v Zanjeer daal kar Ek Makaan me qaid kar do Aur Makaan ka darwaza band kar do Taki ye bhi Zuher v naaba Shayaro Ki Maut ka Maza chakhta hua mar jaaye, Budha Najdi bola- Nahi, ye theek nahi, Muhammad ﷺ ke qaid hone ki khabar bahar nikle bager na rahegi, Musalman use chuda le jaenge aur taaqat pa kar tumhe bhi Fana Kar denge,*

*★_ Doosra bola- Ek Sarkash oun't per bithla kar hum use Yaha'n se nikal de'n, Hamari taraf se kahi'n jaaye kahi'n rahe, jiye Chahe mare, Budha Najdi bola - Nahi ye Raay bhi theek nahi, kya tum Muhammad ﷺ Ki dala'il bhari baato'n ko bhool gaye ho, kya tum nahi dekhte k wo jisse baat karta hai usko Apna bana leta hai, Dilo'n per kesi Asaani se qaabu pa leta hai, Jaha'n jayega waha'n Ke Log uske saath lag jayenge aur wo bil Aakhir tumse apne Nabi Ka badla lekar chhodenge_,"* 

*★_ Aakhir Abu Jahal ne esi tadbeer batlayi JiSe tamam ijlaaas ne Billa ittefaaq manjoor kar liya aur tadbeer ya thi k- Arab ke Har ek mashoor Qabile se ek ek Jawa'n Mard ka intekhab kiya jaaye, ye sab Bahadur Raat Ki tareeki me Muhammad ﷺ Ke Ghar Ko gher le'n aur Jab Muhammad ﷺ subah ki Namaz ke liye bahar nikle us Waqt ye sab Bahadur Apni Apni Talwar se waar Kare'n aur uski boti boti kar de'n, Is Tadbeer ka ye faayda bataya gaya k Jis qatl me tamam Qabile Shamil ho'nge uska badla na to Muhammad ﷺ ka Qabila le sakega aur na Mohammad ko saccha Maanne Wale Kuchh shar v fasaad utha sakenge _,"*
[11/20, 7:32 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Insaani Tadbeer Ke muqable me ilaahi Tadbeer :-*
*"_ Insaani Tadbeer Ke muqable me ab ilaahi taaqat aur Rabbani Himayat ko dekhiye k Jab Raat ko un Logo'n ne Nabi ﷺ ka ghar aa ghera, Us waqt Allah ke Nabi ﷺ ne Pyare Bhai Ali Raziyallahu Anhu se farmaya - Tum mere bistar per meri Chadar le kar soye raho, Zara fikr na karna, Koi Shakhs tumhara Baal bhi Baa'nka na kar sakega, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu to un Talwaro ke saaye me nihayat be fikri se maze ki neend soye rahe aur Allah ke Nabi ﷺ Allah ki hifazat me bahar nikle aur un Dil ke Andho ki Aankho'n me khaak daalte hue aur Surah Yaseen padhte hue saaf nikal gaye,*

*★_ Allah ke Nabi ﷺ Apne Pyare Dost Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke ghar pahunche, Unhone jaldi se safar ka zaruri samaan durust kiya, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki beti Asma Raziyallahu Anha ne Apna Kamarband kaat kar Sattuo'n ki theli ka moo'nh baand diya, Usi Shab ki Tareeki me dono buzurgwaar chal pade, Makka se chaar Meel ke faasle per Kohe Sor hai, Uski Chadhayi Sar Tod hai, Raasta Sanglaakh ( dushwar ) tha, Nukile patthar Nabi ﷺ ke Nazuk Paa'nv ko Zakhmi kar rahe they aur Thokar lagne se bhi Takleef hoti thi, Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne Nabi ﷺ ko Apne Kandhe per utha liya aur Gaar tak pahunche, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Nabi ﷺ ko bahar thehraya, Khud andar ja kar gaar ko saaf kiya, Tan ke kapde faad faad kar gaar ke suraakh band kiye aur fir arz kiya k Huzoor ﷺ bhi Tashreef le aaye'n_,"*

*★_ Subeh hui Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Hasbe Mamool khwab se bedaar hue, Quresh ne qareeb ja kar unhe pehchana, puchha- Muhammad ﷺ kaha'n hai'n ? Unhone jawab diya - Mujhe kya khabar, kya mera pehra tha, Tum Logo'n ne unhe nikal jane diya aur Woh nikal gaye, Quresh gusse aur nadamat se Ali Raziyallahu Anhu per pil pade, Unko maara aur Khana Kaaba tak pakad laye aur thodi der ke liye rakha, Aakhir chhod diya _,"*

*★_ Ab Quresh Abu Bakar Raziyallahu Anhu ke ghar aaye, Darwaza khatkhataya, Asma binte Abu Bakar Raziyallahu Anha bahar nikli, Abu Jahal ne puchha - Ladki Tera Baap kidhar hai ? wo boli'n - Ba khuda mujhe maloom nahi, Bad Zuban Abu Jahal ne esa tamacha kheench maara k Asma Raziyallahu Anha ke kaan ki baali niche gir gayi _,"*
*( Tibri -247)*
[11/21, 8:44 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Ladki Ki Quwwate imaani_,*
*"_Hijrat ke mutalliq Ek Chhoti si Baat Qabile Zikr hai k Asma binte Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anha kehti Hai'n K Mere Waalid jaate hue ghar Se Naqad rupya Sab utha Kar le gaye they, ye 5000 ya 6000 rupaye they, Waalid Ke chale jaane ke baad mere Dada Abu Qahafa ne kaha- beti Mai'n samajhta hu'n K Abu Bakar ne tumko dohri Musibat me daal diya hai, Wo Khud bhi chala gaya aur naqad v Maal bhi saath le gaya _,"*

*★_ Abu Qahafa abhi Tak Musalman na hue they, Fateh Makka ke din ye Musalman hue they, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke khandan ko jumla Sahaba me ye khaas Khususiyat Haasil hai k unke Khandaan ki 4 Nasle'n Sahab Hai'n_,* 

*★_ Asma Raziyallahu Anha boli'n - Nahi, Dada Jaan Wo Hamare liye kaafi Rupiya chhod gaye Hai'n, Asma Raziyallahu Anha ne Ek patthar liya, us per Kapda lapeta aur jos ghade me Rupiya hua Karta tha Waha'n rakh diya Aur Fir Dada ka haath pakad Kar le gayi'n, Abu Qahafa Ki Aankhe'n jaati rahi thi ( Yani Nabeena they) kaha- Dada Jaan haath Laga kar Dekho k Maal mojood hai _,"*

*★_Budhe ne use Tatola aur Fir Kaha - Khayr Jab tumhare paas Sarmaya kaafi hai Abu Bakar Raziyallahu Anhu ke jane ka is qadar gam nahi, ye Abu Bakr ne achcha Kiya Aur Mai'n samajhta Hu'n K Tumhare Liye kaafi intezaam Kar gaya hai _,"*

*★_ Asma Raziyallahu Anha kehti hai'n k ye Tadbeer to Maine budhe Dada ke itminane Qalb ke liye ki thi, Varna Waalid buzurgwaar to sab Kuchh Nabi ﷺ ki khidmat ke liye saath le gaye they_,"*
*( Ibne Hishaam - 173 )*
[11/22, 8:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Gaar Ka Qayaam :- Ye Chand aur Suraj dono'n teen roz us gaar me rahe, Raat Ki tareeki me Asma bint Abu Bakar Raziyallahu Anha Ghar Se roti de jaati, Abdullah Bin Abi Bakr Raziyallahu Anhu Ahle Makka ki Baate'n suna jaate, Aamir Bin fahira Jo Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke bhai Ke Gulam they aur jinke paas Abu Bakar Raziyallahu Anhu ka Revad tha, Waha'n bakriya'n le Aate, Nabi ﷺ doodh baqadre zaroorat le lete aur wo fir Revad se aane walo'n ke naqshe qadam ko Tamaam Raaste Se Mita dete_," ( Bukhari- 5039)"*

*★_ Allah azz wa jal ne Abu Bakr Raziyallahu Anhu ke is sidq v khuloos ka ye Ajar Diya k "Allah Hamare saath hai" farma kar Jis Maiyyate Ilaahi me Nabi ﷺ Waasil they Usi me Abu Bakar Raziyallahu Anhu ko bhi Shamil Kar Diya _,"*

*★_ Chothi Shab Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Ke Ghar Se do Ou'ntniya'n aa gayi'n, Jin ko ISI Safar ke liye Khoob farba aur taiyyar Kiya gaya tha, Ek par Nabi ﷺ aur Abu Bakr Raziyallahu Anhu aur doosri par Aamir bin Fahira aur Abdullah bin Ariqat (Jise Raasta batane per nokar Rakha gaya tha ) Sawar hue aur Madina ki jaanib yakam Rabiul Awwal roz doshamba (Somwaar) (16 September 622) ko Ravana hue _,"*

*★_ Hijrat se Nabi ﷺ ne Ambiya, Sabiqeen Ki sunnat ko poora Kiya, Hazrat Ibrahim Khalilur Rehman aur Hazrat Moosa aur Hazrat Dawood Alaihissallam ki Hijrat ke Waqiaat Bible me mojood hai'n, Nabi Kareem ﷺ ke saath Hijrat ke baad Nusrat E Ilaahi ki Maiyyat ka Zahoor hua, jesa k prhle Nabiyo'n ke saath bhi hota raha tha _,"*
[11/23, 8:10 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Raasta dikhane wale ne darmiyani Raasta chhod kar samundar ke kinare kinare chalna Shuru kiya tha, Jab Huzoor ﷺ Raabig ke mojooda Qile aur Saahil Samander ke darmiyani maidaan Se guzae rahe they, Tab Suraqa Ja'asham ne Huzoor ﷺ ka pichha Kiya, Abdur Rahman Bin Maalik Jo Suraqa ke bhai Hai'n bayan karte Hai'n:-* 

*"_ Suraqa khod sar par lagaye, neza taane, Badan per hathyar Sajaye Apni ghodi per Sawar Hawa se baate'n Karta ja raha tha k uski nazar Huzoor ﷺ per pad gayi, Usne samjha k Wo kamyaab Ho gaya, itne me ghodi ghutno'n Ke bal gir gayi, Suraqa niche aaya, ghodi ko uthaya, Sawar hua, FIR chala, Nabi ﷺ Quran Majeed Ki tilawat karte hue aur Maalik se lo lagaye hue badhe chale Ja rahe they k Nabi ﷺ ko Dushman Ke qareebtar pahunchne ki ittela arz ki gayi, Farmaya- ilaahi hume Uske shar se bacha _,"* 

*★_ Idhar jab alfaz mubaraka zuban se nikle udhar, Udhar ghodi ke qadam Zameen me dha'ns gaye, Suraqa gir pada aur samajh gaya K Hifazat E ilaahi par gaalib Aana muhaal hai, usne Aajizana Alfaaz me Apni Jaan Ki amaan maa'ngi, Amaan de di gayi, Suraqa aage badha aur arz Kiya k Ab Mai'n Har EK hamla aawar ko pichhe Hi rokta rahunga, fir Uski darkhwast aur Nabi ﷺ ke irshad per Amir Bin Fahira Raziyallahu Anhu ne use khat Amaan bhi likh kar ata farma diya _,"*

*★_ Suraqa Raziyallahu Anhu Apne Dada Ja'asham ki nisbat se Suraqa bin Ja'asham Mash'hoor hai'n, Suraqa bin Maalik Bin Ja'asham Raziyallahu Anhu kanani Hai'n, ilaaqa Raabig per inka qabila qaabiz tha, kitabo'n me likha hai k Jab Suraqa waapas hone Lage to Nabi ﷺ ne farmaya - Suraqa us Waqt Teri Kya shaan hogi Jab Tere haatho'n me Kisraa ke Shahi Kangan pehnaye jaenge, Suraqa Raziyallahu Anhu Waqia Uhad ke baad Musalman Hue, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Daur me Jab Mada'in Fateh hua aur Kisraa ka Taaj aur Zevraat Umar Farooq Raziyallahu Anhu Ke saamne pesh hue to Amirul Momineen Raziyallahu Anhu ne Suraqa Raziyallahu Anhu ko bulaya aur unke haatho'n me Kisraa ke kangan pehnaye aur Zubaan se farmaya- Allahu Akbar ! Allah ki badi Shaan hai k Kisraa ke kangan Suraqa Aaraabi ke haatho'n me pehnaye _," ( Bukhari- 3906, Muslim- 2009)*
[11/24, 7:57 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Khaima Umme M'abad per Aan Hazrat ﷺ ka Araam v Qiyaam_,"*
*"_ Gaar se nikal kar pehle hi Din is mubarak Qafile ka guzar Khaima Umme M'abad per hua, Ye Aurat Qaum Khaza se thi, Musafiro ki khabar giri aur Unki Tawazo ke liye Mash'hoor thi, Sare Raah Pani pilaya karti thi'n aur Musafir waha'n thehar kar Susta liya karte they, Yaha'n pahu'nch kar Budhiya se puchha k Uske Paas khane ki koi hai ? Wo boli'n- nahi, Agar koi cheez mojood hoti to daryaft karne se pehle hi Mai'n khud haazir kar deti_,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Khaime ke goshe me ek Bakri dekhi, Puchha - ye Bakri kyu khadi hai ? Umme M'abad ne kaha - kamzor hai, Revad ke saath nahi chal sakti, Nabi ﷺ ne farmaya - ijazat hai k hum ise dho le'n, Umme M'abad ne kaha - Agar Huzoor ko Doodh maloom hota hai to dho lijiye _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Bismillaah keh kar Bakri ke thano ko haath lagaya, Bartan maanga, Wo esa bhar gaya k doodh uchhal kar Zameen per gir gaya, Ye Doodh Aan Hazrat ﷺ aur Hamrahiyo ne pi liya, Doosri dafa fir Bakri ko dhoya gaya, Bartan bhar gaya aur Umme M'abad ke liye chhod diya aur Aage ko rawana ho gaye _,"*
[11/25, 7:15 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★__ Shaam ke Waqt Umme Ma'abad Raziyllahu Anha ke Shohar Abu Ma'abad Raziyllahu Anhu lote ,wo Apni Bakriyo'n ko charane ke liye gaye hue they, Kheme per pahunche to waha'n Bahut sa Doodh Nazar Aaya ..Doodh dekh Kar Hairaan ho gaye ,Bivi se bole :- Ey Umme Ma'abad ! Ye Yaha'n Doodh kesa rakha hai ...Ghar me to koi Doodh dene wali Bakri nahi hai ?* 
*"_Matlab ye tha k Yaha'n Jo Bakri thi ,Wo to Doodh de hi nahi Sakti thi ,Fir ye Doodh Kaha'n se Aaya ? Hazrat Umme Ma'abad Raziyllahu Anha bole :- Aaj Yaha'n se ek Bahut Mubarak Shakhs Ka guzar hua tha _,"*
*"_Ye sun Kar Hazrat Abu Ma'abad Raziyllahu Anhu aur Hairaan hue ,fir bole :- Unka Huliya bata'o _,"*
*"_Jawab me Umme Ma'abad Raziyllahu Anha ne Kaha :- "_ Unka Chehra Noorani tha , Unki Aankhe unki Lambi Palko ke niche chamakti thi, Wo gehri Syaah thi, Unki Awaaz me narmi thi ,Wo darmiyane qad ke they ( Yani chhote qad ke nahi they ) na Bahut zyada lambe they , Unka Kalaam esa tha Jese Kisi ladi me Moti piro diye gaye ho, Baat Karne Ke baad jab Khamosh Hote they to un per Ba Waqaar Sanjeedgi Hoti thi , Apne Saathiyo'n ko Kisi Baat Ka Hukm dete they to Wo jald az jald usko Poora Karte they , Wo Unhe Kisi Baat se rokte they to foran ruk jate they, Wo intehayi Khush Akhlaaq they, Unki Gardan se Noor ki kirne footti thi, Unke Dono Abro mile hue they, Baal Nihayat Syaah they , Wo door se dekhne per Nihayat shandaar aur qareeb se dekhne per Nihayat Haseen v Jameel lagte they, Unki taraf Nazar padti to fir Doosri Taraf hat nahi Sakti thi , Apne Saathiyo'n me wo Sabse zyada Haseen v Jameel aur Ba roab they , Sabse zyada Buland martaba they ,*

*★_Hazrat Umme Ma'abad Raziyllahu Anha Ka Bayan Karda Huliya sun Kar unke Shohar bole :- Allah ki qasam ! Ye Huliya aur Sifaat to unhi Qureshi Buzurg ki hai, Agar Mai'n us Waqt Yaha'n hota to Zaroor unki Pervi Akhtyar Kar leta aur Mai'n ab iski Koshish karunga _,"*
*_Chunache rivayat me aata hai k Hazrat Umme Ma'abad aur Hazrat Abu Ma'abad Raziyllahu Anhum Hijrat Kar ke Madina Munavvara Aaye they aur Unhone islam qubool Kiya tha ,*
*"_Hazrat Umme Ma'abad Raziyllahu Anha ki Jis Bakri Ka Doodh Aap ﷺ ne doha tha ,Wo Bakri Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khilafat ke zamane tak zinda rahi ,*
[11/26, 7:06 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Asna E Raah me Buraida Raziyallahu Anhu Aur 70 Ashkhas Ka Musalaman hona _,"*

*★_ Nabi ﷺ Yasrab Ja rahe they k Asna E Raah me Buraida Aslami Raziyallahu Anhu mile, Ye Apni Qaum ke Sardaar they, Quresh ne Aan Hazrat ﷺ ki giraftari per Ek So (100) oun't ka inaam mushtahar kiya tha aur Buraida isi inaam ke laalach me Aan Hazrat ﷺ ki talash me nikle they,* 

*★_ Jab Nabi ﷺ Ka Saamna hua aur Huzoor ﷺ se hum kalaam hone ka moqa mila to Buraida Raziyallahu Anhu 70 Aadmiyo'n samet Musalaman ho gaye, Apni Pagdi utaar kar neza per baandh li, Jiska Safed furera hawa me lehrata aur Basharat sunata tha k Aman Ka Badshaah Suleh ka haami Duniya ko ADL v insaaf se bharpoor karne wala Tashreef la raha hai _,"*

*★_ Raaste me Nabi ﷺ ko Zuber bin Awaam Raziyallahu Anhu mile, ye Shaam se aa rahe they aur Musalamano ka Tijaarat pesha giroh bhi unke saath tha, Unhone Nabi ﷺ aur Abu Bakar Raziyallahu Anhu ke liye Safed paar chaar pesh kiye _,"*
*( Bukhari - 3906)*
[11/27, 8:23 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quba me Pahunchna :- 8 Rabiul Awwal 13 Nabuwat Ba Roz Somwar (23 September 622) Mutabiq 10 Tasri 4383 Yahoo thi, K Allah ke Nabi ﷺ Quba me pahunch gaye, Ahle Yasrab ne Jab Se Suna tha ki Aan Hazrat ﷺ ne Makka chhod Diya hai To Roz subah se (intezar me Raaste me) hamma chashm Bankar baith jaate aur jab tak theek Dopahar na Ho Jaati baithe rehte,*

*★_ Ye Buzurgwaar Abhi wapas hi gaye the k Huzoor ﷺ pahunch gaye aur ek shaks ke pukarne Se Sab jama ho gaye aur Khair Muqaddam, Allahu Akbar ke tarane gaate hue Aftaabe Risalat Aap ﷺ ird gird Noor Khaiz Suao'n ki Tarah jama Ho Gaye ,*

*★_ Aksar Musalman Ese the jinhone pehle Kabhi bhi Huzoor ﷺ ke Didaar pur Anwar se chashm Zahir Been ko Roshan na kiya tha, Unhe'n Nabi ﷺ aur Huzoor ﷺ ke Rafeeq Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Shinakht se shubha ho jata tha, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu is Zarurat ko taad gaye aur Aan Hazrat ﷺ Ke Sar Mubarak par saya karke khade ho gaye ,*

*★_ Allah Ke Rasool ﷺ Jumeraat tak Yaha'n thehre Aur is Sah Roza Qayaam hi me sabse pehla kaam Yaha'n ye Kiya k Allah Wahdahu La Shareek Ki ibaadat ke liye ek Masjid Ki buniyad rakhi, ISI jagah Shere Khuda Ali Murtaza Raziyallahu Anhu bhi Makka Se paidal Safar Karte hue Nabi ﷺ ki khidmat me pahunch gaye, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Chand Roz Tak Makka me Nabi ﷺ ke irshad ke mutabiq isliye thehar gaye the k Jin Logo'n ki Amanate Huzoor ﷺ ke ghar me mojood thi'n wo Maaliko ko wapas kar di jaaye'n,* 

*★_ 12 Rabiul Awwal 1 Hijrat ko juma ka din tha, Nabi ﷺ Quba se Sawar hokar Bani Saalim ke gharo'n Tak pahunche the ki Juma ka Waqt Ho Gaya, Yaha'n 100 Aadmiyo'n Ke sath Juma padha, Ye islam me pehla juma tha,*
[11/28, 12:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Rasulallah ﷺ ka Sabse Pehle Juma ka Khutba, Jo Madina Pahu'nch kar Bani Saalim bin Auf me Huzoor ﷺ ne padha tha :-*
*"_ Hamd v Sata'ish Allah ke liye hai, Mai'n Uski Hand karta hu'n, Madad, Bakhshish aur Hidayat usi se chahta hu'n, Mera imaan isi per hai, Mai'n uski Nafarmani nahi karta aur Nafarmani karne walo se adawat rakhta hu'n, Meri Shahadat ye hai k Allah ke Siva ibaadat ke laa'iq koi bhi nahi, Wo Yakta hai, Uska koi Shareek nahi, Muhammad ﷺ uska Banda aur Rasool hai Usi ne Muhammad ﷺ ko Hidayat, Noor aur Nasihat ke saath ese zamane me bheja hai jabki Muddato se koi Rasool Duniya me na aaya tha, ilm ghat gaya aur gumrahi bad gayi thi, Use Aakhri Zamane me Qayamat ke qareeb aur Maut ki nazdeeki ke waqt bheja gaya hai_,"*

*★_ Jo koi Allah aur Rasool ﷺ ki ita'at karta hai Wohi Raahyaab hai aur Jisne unka hukm na maana wo bhatak gaya, Darja se gir gaya aur Sakht gumrahi me fan's gaya hai, Musalamano ! Mai'n tumhe Allah se Taqwe ki wasiyat karta hu'n, Behatreen wasiyat jo Musalman Musalman ko kar sakta hai ye hai k use Aakhirat ke liye amaada kare aur Allah se Taqwe ke liye kahe, Logo'n ! Jin baato se Allah ne tumhe Parhez karne ke liye kaha hai unse bachte raho, isse badh kar na koi Nasihat hai aur na isse badh kar koi zikr hai, Yaad rakho k Ummore Aakhirat ke bare me us Shakhs ke liye jo Allah se dar kar kaam kar raha hai Taqwa Behatreen madad saabit hoga aur Jab koi shakhs Apne aur Allah ke darmiyan ka maamla khufiya v zaahir me durust kar lega aur esa karne me uski niyat khaalis hogi to esa karna uske liye Duniya me Zikr aur Maut ke baad ( jabki insaan ko A'maal ki zarurat v qadr maloom hogi) Zakhira ban jayega _,"*

*★_ Lekin Agar koi esa nahi karta ( uska Zikr is Aayat me hai) insaan pasand karega k uske A'maal usse door hi rakhe jaye'n, Allah Tumko Apni zaat se darata hai aur Allah to Apne Bando per nihayat meharban hai aur Jis Shakhs ne Allah ke hukm ko sach jana aur Uske Vaado ko poora kiya to uski baabat ye irshad ilaahi mojood hai hamare Yaha'n baat nahi badalti aur hum Apne Nacheez Bando per zulm nahi karte _,"*

*★_ Musalamano ! Apne mojooda aur Aainda, Zahiri aur Khufiya kaamo me Allah se Taqwa ko peshe nazar rakho kyunki Taqwa walo ko badiya'n chhod di jaati hai'n aur Ajar badha diya jaata hai, Taqwa wale wo hai'n Jo bahut badi muraad Ko pahu'nch jayenge, Ye Taqwa hi hai jo Allah ki Bezaari, Azaab aur Gusse ko door kar deta hai, Ye Taqwa hi hai jo Chehre ko darakhsha'n, Parwardigaar ko khush aur Darja ko buland karta hai_,"*

*★_ Musalamano Haz utha'o ( Maze karo) Magar Huqooq ilaahi me faroguzasht ( kotaahi) na karo, Allah ne isiliye tumko Apni kitaab sikhlayi aur Apna Rasta dikhlaya hai k Raastbaazo ( imaan walo ) aur Kaazibo ( jhooto ) ko alag alag kar diya jaye, Logo'n ! Allah ne tumhare saath umda bartaav Kiya hai, tum bhi Logo'n ke saath esa hi karo aur Jo Allah ke Dushman hai'n Unhe Dushman samjho aur Allah ke Raste me poori himmat aur Tavajjo se koshish karo,Usi ne tumko Barguzida banaya aur Tumhara naam Musalaman rakha hai, taki halaal hone wala bhi Roshan dala'il per Halaak ho aur Zindgi pane wale bhi Roshan dala'il per zindgi paye aur Sab Nekiya'n Allah ki madad se hai'n, Logo'n ! Allah ka zikr karo aur Aainda zindgi ke liye Amal karo kyunki jo shakhs Apne aur Allah ke darmiyan maamla durust kar deta hai Allah Ta'ala uske aur Logo'n ke darmiyan ke maamle ko durust kar deta hai, Haa'n ! Allah bando per hukm chalata hai aur us per kisi ka hukm nahi chalta, Allah Bando ka maalik hai aur Bando ko us per koi Akhtyar nahi, Allah sabse bada hai aur humko ( neki karne ki) taaqat usi Azmat wale se milti hai _,"*
[11/29, 7:17 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Madina Munawwara me Dakhila :-* 
*"_ Namaze Juma se faarig ho kar Nabi ﷺ Yasrab ki Junoobi jaanib se Shehar me dakhil hue aur Usi Din se Shehar ka Naam "Madina An-nabi" ho gaya, Jise Mukhtasar "Madina" bhi kaha jata hai_,"*

*★_ Dakhila Ajeeb Shandaar tha, Gali kooche Tamheed v Taqadees Ke Kalmaat se goonj rahe they, Mard v Aurat, Bachche Budhe Noore ilaahi ka jalwa dekhne ke liye sarapa chashm ban gaye they, Tashreef Aawri ke is Shikwa v Ahatsham ko dekh kar Ahle kitaab ke Aalim samajh gaye k "Habqooq Nabi" ki kitaab baab 3 dars 3 ka matlab Aaj khula_,"*

*★_ Ansar ki masoom Ladkiya'n payare lehje aur Paak Zubano se us waqt Ash'aar ga rahi thi'n, Ye Ansar Jinki ladkiyo'n ne ye Tarana Saaji ki hai, Jinhone 11-12-13 Nabuwat me Makka Muazzama pahu'nch kar Nabi ﷺ ke haath per Bayt ki, Ya Wo hai'n Jo Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu Ya Ibne Maktoom Raziyallahu Anhu ki hidayat se aur Taleem se Madina Munawwara hi me Musalaman ho gaye they_,"*

*★_ Buzurg Ansar Kuchh bade Maldaar ya Sahibe Sarwat ya kisi badi jageer v Amlaak ke maalik na they, Magar Dil ke ese gani, islam me ese Shaidayi, Musalman Bhaiyo'n per itne qurban they k Jab koi muhajir nangi Talwaaro, khichi hui kamano se jaan bacha kar Bhooka pyasa Madina me pahu'nchta tha to har ek Ansari ye chahta tha k wo Muhajir uske paas thehre,*

*★_ Aakhir Qur'a Andazi hoti thi aur jiske naam Qur'a nikal aata, Wo Muhajir Bhai ko Apne Ghar le jata, Makaan, Asbaab, Rupiya, Zameen, Maweshi, Garz jo kuchh uski milk me hota uska Aadha hissa usi din taqseem kar ke de deta aur fir Raat Din unki khidmat ke liye musta'id rehta, Apni khush qismati per shukr karta k Allah ne Deen ke ek Bhai ko uska hissedaar banaya _,"*

[11/29, 9:18 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Makka aur Madina ke halaat ka muqabla :-*
*"_ Makka me sirf ek Qaum Quresh ka zor aur hukumat thi aur sabka mazhab bhi ( zyadatar) But Parasti tha, Madina mukhtalif Aqwaam aur Mazahib ka majmua tha, Waha'n But Parast bhi they aur Yahoodi bhi aur Kam Tadaad me Iysaa'i bhi, Yahoodiyo'n ke kai zabardast Qabile Banu Nazeer, Banu Qainqa, Banu Quresza they Jo Apne Judagana qilo me raha karte they, Tijaarat aur Sood ki vajah se bahut Maaldaar they,*

*★_ Jab Allah ke Barguzida Nabi Moosa Alaihissallam ne Apne Waaz me Yahood ko ye Basharat sunayi thi k Allah Az v Jal Moosa Alaihissallam ke Bhaiyo me Moosa Alaihissallam jesa Nabi paida karega, Us waqt se Yahood ummeed kiye hue aur isi Ummeed per Madina me Thehre hue they k Bani Israily me paida hone wala Nabi Yahoodiyo'n ki Qaum ki Zillat v Bad qismati ko door karne wala, Unki guzishta Shan v Shokat, Hukumat v Saltnat ko dobara zinda karne wala hoga aur Jabse Yahood ko Mulk e Shaam se nikaal diya gaya aur Zillat v Gulami ke gadhe me daal diya gaya tha us waqt se Nabi Mo'uod ke zahoor per unki Aankhe'n aur zyada lagi hui thi,*

*★_ Ab Isma'iyli Nabi ﷺ ka madina me Tashreef lana sun kar Yahood bil khusoos bahut khush ho rahe they, Lekin jab Unhone dekha k Ye to Maseeh Alaihissallam ko Raast baaz (Sachcha) thehrata hai, Uski Taleem ko Sachcha batlata aur Maseeh Alaihissallam per imaan lane ko islam ka zaroori juzv qaraar deta hai aur uski buzurgi kar ke Yahoodiyo'n ko insaaf se Mulzim thehrata hai to us waqt sab Yahood hamare Nabi ﷺ ke dushman ho gaye,*

*★_ Iysaa'iyaan Madina bhi Nabi Mo'uod ﷺ ke muntazir they, Jabse Allah ke Barguzida Bande Iysaa Maseeh Alaihissallam ne sabse Aakhri waaz me doosre tasali dene wale ke aane ki khabar di thi Jo Duniya ke saath hamesha rahe aur Jo Duniya ko sab cheeze sikhlayega aur Iysaaiyo'n ko uske hukm per chalne ki takleef ki thi, to Iysaa'i bhi Nabi ﷺ ka intezar kar rahe they, Jo Yahood se unke Zulm ka badla lene wala, Iysaaiyo'n ko Jalaal bakhshne wala, Maseeh Alaihissallam ki sadaqat zaahir karne wala ho_," Lekin jab Unhone dekha k Nabi ﷺ ne Iysaaiyo'n ke khud Saakhta Masa'il Ahniyat, Taslees, Kaffara, Rehbaniyat aur Pope ke ilaahi iqtedaraat ka radd kiya, tab wo bhi hamare Nabi ﷺ ke dushman ho gaye_,"*
[11/30, 8:05 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Madina ke halaat ka andaza karne ke liye Nazreen ko Abdullah bin Abi bin Salool ke haal per bhi ek Mukhtasar nazar daalna zaroori hai, Yahoodiyo'n ke alawa Madina ka mumtaz v Asardaar Shakhs ye bhi tha, Aus v Khazraj ke Qabilo per iska poora roab tha aur isko tawaqqo thi k in Taaqatwar Qabilo ki madad se Madina ki sabse Aala Taaqat Mai'n hi ban jaunga _,"*

*★_ Jab Usne dekha k Aus v Khazraj musalman ho rahe Hai'n to khud bhi ( Junge Badar ke baad ) ba Zaahir haal Musalamano se mil gaya, lekin Jab Usne dekha k Yahood Nabi ﷺ ke khilaaf ho hai'n to usne chaha k Yahoodiyo'n per bhi uska pehla asar qaa'im rahe aur Musalaman ho jane wale Qaba'il bhi ba dastoor zere iqtdaar rahe, isliye usne ye rawayya Akhtyar kiya k Musalmano me beth kar unse Apni rafaqat ka iqraar karta aur digar Aqwaam ke saamne unke saath Apne ittehad v Sadaqat ka Daava kiya karta _,"*

*★_ Aur Chu'nki wo Fil Haqeeqat islam ka Apni Aarzuo'n ka pamaal karda samajhta tha, isliye jab moqa milta to Musalamano ko takleef pahunchane me bhi dareg na karta, is giroh ka naam Musalamano ne "Munafiq" rakha _,"*

*★_ Madina ki ye haalat thi aur isse zaahir hai k islam ki Dawat aur Munadi ke liye is jagah bhi bahut si dushwariyo ka saamna tha, Ek Munsif aur gor karne wali tabiyat faisla kar sakti hai k in sab per gaalib aana islam ki sadaqat ki umda daleel hai, isha'at e islam me jo Kamyaabi Nabi ﷺ ko Madina Munawwara me Ba Muqabla Makka Muazzama hui iska zikr Qur'an ne pehle se Bator peshgoi farma diya tha :-*
*"_ Pichhla tere liye pehle se behtar hoga _,"*
[12/2, 6:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ne Madina Pahu'nch Kar Hijrart ke pehle hi saal Ye munasib khayal farmaya k Jumla Aqwaam se ek Muahida Bainul Aqwami usool per kar liya jaaye Taki Nasal Aur mazhab Ke ikhtilaf me bhi Qaumiyat ki wahdat qayam rahe aur sab Ko Tamddun v tehzeeb me Ek doosre se madad iyanat milti rahe, Muahida Darje zail hai :-*

*★_ Ye tehreer hai Mohammad An Nabi ﷺ Ki jaanib Se Musalmano Ke darmiyaan Jo Quresh ya yasrab ke Bashinde hain aur UN logon Ke saath Jo Musalmano ke saath mile hue aur karobaar me unke saath Shamil Hai'n K ye sab log ek hi Qaum samjhe jayenge, Bani Auf ke yahoodi Musalmano ke saath Ek Qaum Hain aur Jo Koi is Muahide karne wali Qaumo ke saath Jung Karega to Uske khilaaf sabke sab milkar kaam karenge, Musalman Unki Nusrat karenge,* 

*★_ Muahida Aqwaam ke baahami Talluqat, Baahami Khair Khwahi, khair Andeshi Aur fayda Rasani Ke ho'nge, nuksan aur Gunah ke Na ho'nge, Jung ke dino'n me Yahoodi Musalmano ke saath musarif me Shamil rahenge, Yahoodiyo'n ke dost daar Qaumo ke Huqooq Yahoodiyo'n ke barabar samjhe jayenge, Koi Shakhs Apne Muahide ke saath mukhalifana karywahi na Karega, mazloom ki madad v Nusrat ki jayegi, Madina ke Andar kusht v khoon karna is muahide karne wali Sab Qaumo per Haraam hai, Zahari bhi Muahid Qaumo jese samjhe jayenge, is Muahide ki Qaumo ke andar agar koi esi nayi baat ya jhagada Paida Ho jaaye jisme fasaad ka khof ho to uska faisla Allah aur Muhammad Rasool ﷺ ke mutalliq samjha jayega_,"* 

*★_ Is Muahide per Madina ki Tamaam Abaad Qaumo ke dastkhat ho gaye, Iske baad Nabi ﷺ ne chaha k Aas Paas ke Qabilo Ko bhi isi Muahide me Shamil kar liya jaaye, isse do Fayde ho'nge,*
*(1)_ Jo khana Jungi Qaba'ilo ke darmiyaan Hamesha jaari rehti Aur Khalqe ilaahi Ke khoon Se Allah ki zameen rangeen rehti hai, uska Khaatma ho jayega,* 
*(2)_Qureshi Makka UN Logo'n Ko JinSe Muahida ho jayega Musalmano ke khilaaf Behkane v Uksane ka kaam Na Kar sake'nge,*

*★_ Is Mubarak aur Aman Bakhsh iraade se Nabi ﷺ ne Hijrat ke pehle saal hi Makka aur Madina ke darmiyaan Qaba'il ka safar farmaya aur Qabila Bani Hamza Bin bakar Bin Abd Munaaf ko is muahide me Shareek kar liya, Kohe Bavaat Ke Logo'n Ko sharike Muahida Kiya, FIR Banu Mudlah se Muahida tay karke Madina tashrif laye, is Mubarak iraade Ki Takmeel ke liye Agar kaafi Waqt mil Jata To Duniya per Zaahir ho jaata k Rehmatul Aalameen ﷺ Duniya me Talwar chalane Ko nahi balki Suleh failane aur Aman Qayam karne ke liye Aaye Hai'n_,"*
[12/3, 6:08 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh ne Madina Pahu'nch kar Musalmano per hamla karne ka iraada kiya:- Qureshe Makka ko imaan walo aur Nabi ﷺ ke saath esi Dushmani thi k unke Watan ko chhod kar 300 meel door Jane ke baad bhi unko chain na aaya, Pehle bhi jab Musalaman Habsha ja rahe they, Us waqt bhi Quresh ne Habsha pahu'nch kar unke giraftaar kar lane ki koshish ki thi, Magar wo mulk ek Badshaah ke maathat tha aur Samandar ke darmiyan me haa'il tha, isliye waha'n kuchh aur zyada Kaarywahi na kar sake, Ab Jo Musalaman Madina ja rahe to sabne Madina per Hamla Aawar hone ka iraada kar liya, Qureshe Makka ne Pehle to Abdullah bin Uba'i aur Uske Rafqa ( dosto'n) ko jo Aus aur Khajraj me but parast they khat likh bheja_,"*

*★_ Likha - Tumne hamare Shakhs ko apne Yaha'n thehra liya hai, Ab Laazim hai k tum usse lado ya waha'n se nikaal do varna humne Qasam khayi hai k hum sab Yakbaargi tum per hamla kar denge, Tumhare Jawano ko maar de'nge aur Tumhari Aurto'n per Qabza kar lenge_," is khat ke aane per ibne Uba'i aur Uske Rafqa ne Nabi ﷺ se Jung karne ka iraada kiya, Aan Hazrat ko bhi iski ittela mil gayi, Aapne is Hamla karne wale majme me khud ja kar guftgu farmayi _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya - Quresh ne tumse esi chaal khaili hai k Agar tum unki dhamki me aa gaye to tumhara Nuqsaan bahut zyada hoga ba nisbat iske k tum unki baat se inkaar kar doge, kyunki agar tum Musalamano se ladoge to Apne hi Bhaiyo'n aur Farzando ko ( jo Musalaman ho chuke hain) qatl karoge, Agar tumhe Quresh se ladna pada to wo gairo ka muqabla hoga_," Nabi ﷺ ki ye taqreer unke esi Dil nasheen hui k Tamaam Majma muntashir ho gaya _,"*
*( Sunan Abu Daouwd 3004)*

*★_ iske baad Qureshe Makka ne andar hi andar Madina ke Yahoodiyo'n se Sazish karni shuru kar di aur Jab Khufiya tor per unko Apne saath Mila chuke tab Apni Kamyaabi ka poora bharosa kar ke Musalmano ko kehla bheja- Tum Magroor na ho jana k Makka se saaf bach kar nikal aaye, hum Yasrab pahu'nch kar tumhara Satyanash kar dete Hai'n_," is Paigaam ke baad Unhone chhed chhaad bhi shuru kar di_,*
[12/4, 8:17 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Rabiul Awwal 2 Hijri ka zikr hai k Sardarane Quresh me se ek Shakhs Kurz bin Jaabir Yasrab pahuncha aur Madina walo ke Maweshi jo bahar maidaan me char rahe they Loot kar le gaya aur Saaf nikal gaya, Goya Madina Walo ko Apni Taaqat dikhla gaya k hum 300 Meel ka Dhava kar kar tumhare gharo se tumhare Maweshi le ja sakte Hai'n _,"*

*★_ Fir Maahe Ramzan 2 Hijri ka zikr hai k Abu Jahal ne Makka me Mash'hoor kar diya k hamara Qafila jo Zar v Maal se malamaal hai aur Shaam se aa raha hai Musalaman use lootenge, is Shohrat se uska Maqsad ye tha k Wo sab log jinka maal Tijaarat me laga hua hai aur wo sab log jinke Aqraba Qafile me hai'n aur Wo sab log jo Musalamano se nafrat rakhte hai'n bil ittefaaq Musalmano ke khilaaf Jung ke liye Aamada ho jaye'n, Chuna'nche esa hi hua _,"*

*★_ Ek Hazaar Jaa'nbaaz Bahaduro ki Khoo'nkhaar fauj le kar ( Jinki Sawari me 700 Oun't aur 300 Ghode they ) Abu Jahal Makka se nikla, Jis Qafile ki hifazat ka bahana kar ke ye Fauji Majma rawana hua tha wo Makka me ba khairiyat pahu'nch gaya magar Abu Jahal is Fauj ko liye hue barabar Madina ki jaanib badhta gaya, Ab Musalamano ko kuchh bhi Shak na raha k ye Quresh ki Chadhayi gareeb musalmano per hai _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne is maamle me Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se mashwara farmaya, Muhajireen ne Qabile itminaan jawab diya, Fir mashwara farmaya, Muhajireen ne Qabile itminaan jawab diya, Fir mashwara farmaya, Ab Ansar samjhe k Aan Hazrat ﷺ hamare jawab ke muntazir hai'n _,"*
[12/5, 10:24 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu ne arz kiya:- Shayad Huzoor ﷺ ne ye samjha k Ansar Apne Shehar se bahar nikal kar Huzoor ﷺ ki i'anat karna Farz nahi samajhte hai'n, Ansar ki taraf se Mai'n ye arz karta hu'n k hum to har haalat me Huzoor ﷺ ke Saath hai'n, Kisi se Muahida farmaye'n, Kisi ke Muahide ko na manzoor kijiye, Hamare Zar v Maal se jis qadar Mansha Mubarak ho lijiye, Humko Jo Marzi Mubarak ho ata kijiye, Maal ka jo hissa humse Huzoor ﷺ le lenge, Hume wo zyada pasand hoga us maal se jo Huzoor ﷺ Hamare paas chhod denge, Humko jo hukm Huzoor ﷺ denge hum uski Tameel karenge, Agar Huzoor ﷺ imraan ke chashme tak chalenge to hum saath ho'nge, Agar Huzoor ﷺ humko Samandar me jane ka hukm denge to Huzoor ﷺ ke saath waha'n bhi chalenge _,"*

*★_ Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu ne kaha :- Ya Rasulallah ﷺ ! Hum wo nahi k jo Qaume Moosa Alaihissallam ki tarah "Ja, Tu aur tera Rab dono lado, hum to Yaha'n thehre hue Hai'n_," Keh de'n, Hum to Huzoor ﷺ ke Daaye'n Baaye'n, Aage Pichhe qitaal ke liye Haazir Hai'n _,"*
*( Bukhari- 3952, Zaadul Ma'ad- 3/173)*

*★_ Musalman pehle kuchh Tayyar na they, Ansar V Muhajireen mila kar 313 ese nikle jo maidaan me ja sake'n, Ab tak Musalamano ko Jung ki ijazat na thi balki islam ko Jung se koi waasta hi nahi, Lafze islam ka maadda Salma hai, Jiske Ma'ani Suleh aur Farootni ( Aajizo Tawazo) ke hai'n, Jo Mazhab Duniya ke liye Suleh ka Paigaam le kar aaya ho, Jis Mazhab ke maanne Wale imaan walo ko Munkasir aur Mutawaze rehne ka hukm ho, Wo kyu Jung karte ?*

*★_ Yahi Vajah thi k Unhone Chup Chaap gharo'n ko, Maalo ko Makka me chhod diya aur Habsha ya Madina chale gaye they Lekin ab esi soorat aa padi k Jung ke siva koi chaara hi na reh gaya, Agar Haath per haath rakhe bethe rehte to Natija ye hota k Bakriyo'n ki tarah zibah ho jate, Aur Sabse bada Nuqsan ye tha k Toheed ki munaadi karne wala Duniya per koi na reh jata, isi Zarurat ki vajah se Khuda E Buzurg v Bartar ne Musalamano ki haalat per Raham farma kar unko bhi 14 Saal tak Sabr karne aur Zulm v Sitam bardasht karte rehne ke baad Hamla Aawar Dushmano ki mudaf'at k hukm de diya _,"*
[12/6, 6:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ramzan 2 Hijri ko Allah ke Nabi ﷺ Apne Saath Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko le kar Madina se chale, is Lashkar ke Saazo Samaan ka andaz isi se maloom ho sakta hai k Tamaam lashkar me sirf 2 Ghode aur 60 Oun't they, Ye Ajeeb ittefaq dekho k Ahle Badar ki Tadaad bhi lashkar E Taloot ke barabar thi jabki wo Jaloot ke muqable ko nikla tha,*

*★_ Jab Badar Pahu'nche to dekha k Dushman ka Lashkar Jo Tadaad me unse Teen guna aur Samaan me Hazaar guna zyada hai, Utra hua hai, Jung se ek Roz pehle Nabi ﷺ ne Mulahiza kiya aur batlaya k Kal in sha Allah ta'ala fala Dushman is jagah aur fala fala is jagah qatl ho'nge_,*

*★_ 17 Ramzan ko Ba Roz juma Jung hui, Jung se pehle Nabi ﷺ ne nihayat gidgida kar Allah ke Huzoor dua ki aur ye bhi arz ki k Agar ye Sahaba Kiraam maare gaye to Duniya per Toheed ki munaadi karne wala koi bhi na reh jayega, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne bhi Duae'n ki, Nushrat E ilaahi se Makka walo ko shikasht hui, Unke 70 Mash'hoor Aadmi Aseer aur 70 Bahadur maare gaye, Abu Jahal bhi usi jagah maara gaya, Yahi Sabko Chadha kar laya tha, Wo 14 Sardaar jo Darul Nadwa me Aan Hazrat ﷺ ke qatl ke mashware me Shareek hue they, Unme se bhi 11 maare gaye, 3 jo bache rahe they wo bil Aakhir imaan le aaye,*

*★_ Us Zamane ka qanoon e Jung, Mazloom Sahaba ka josh E inteqam, digar Qaba'il per jungi Ro'ab qaa'im karne ki zarurat is Amr ki muqraza thi k Qaidiyo ko qatl kar diya jata magar Rab Raheem Ke Nabi Rahmatul Aalameen ﷺ ne tawaan le kar sabko chhod diya, Padhe likhe Aseero ka Tawaan Aan Hazrat ﷺ ne ye muqarrar farmaya tha k Wo Ansar ke Bachcho Ko likhna padhna sikha de'n_,"*
[12/7, 8:09 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh Ki Teesri Saazish :- Junge Badar se chand Roz baad ka Zikr hai k Safwan bin Umayya (Jiska Baap Badar me qatl hua tha) aur Umair bin Wahab (Jiska beta Musalamano ke haath me Aseer tha) Makka se bahar sunsaan jagah me jama hue aur Nabi ﷺ ke khilaaf baate karne lage,*

*★_ Umair bola :- Agar mujh per Qarz na hota jise Mai'n ada nahi kar sakta aur Mujhe Apne Kunbe ke bekas reh Jane ka khayal na hota to Mai'n khud Madina jata aur Muhammad ﷺ ko qatl hi kar ke aata_,"*
*"_ Safwan bola :- Tera Qarz Mai'n chuka du'nga aur Tere Kunbe ka kharch Jab tak Mai'n zinda rahunga mere zimme hoga _,"*
*"_ Umair bola :- behtar hai , Ye Raaz kisi per na khule, Fir Umair ne Apni Talwaar ki dhaar ko tez karaya aur Zehar me use bujhoya aur Makka se rawana ho gaya_,"*

*★_ Umair Madina pahu'nch kar Masjide Nabvi ﷺ ke saamne Apna oun't bithla raha tha k Oun't bol pada, Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne use dekha aur Pehchan liya aur Dil me samajh gaye k Ye Zaroor kisi fasaad ke iraade se aaya hai, isliye aage badh kar Nabi ﷺ se arz kiya k Umair bin Wahab Muslah chala aa raha hai, Nabi ﷺ ne farmaya - Use mere paas aane do, Umar Raziyallahu Anhu ne uski Talwaar per Qabza kar liya, Uski gardan pakad kar Nabi ﷺ ke saamne le gaye, Nabi ﷺ ne ye dekha to farmaya - Umar ise chhod do, Umair tum mere paas aao, Umair ne aage badh kar Salam kiya,*

*★_ Nabi ﷺ ne puchha - Kaho kis tarah aaye ? Kaha- Apne Bete ki khabar lene aaya hu'n, Nabi ﷺ ne puchha- Ye Talwaar kesi hai ? Umair bola - Ye kya Talwaar hai aur hamari Talwaro ne Aapka pehle bhi kya kar liya hai _," Nabi ﷺ ne farmaya :- Sach sach bata'o, Umair ne jawab dohraya, Nabi ﷺ ne farmaya - Dekh Tu aur Safwan Makka se bahar Sunsaan Pahad me gaye they, Safwan ne Tera Qarz aur Tere Kunbe ka kharch apne Ouper le liya hai aur Tune mere Qatl ka vaada kiya aur isi iraade se tu Yaha'n aaya hai, Umair Tu ye na Samjha k Mera Muhafiz Allah hai _,"*
[12/8, 6:55 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Umair ye Sun kar Hairan ho gaya, bola - Ab mera Dil Maan Gaya hai k Aap zaroor Allah ke Nabi aur Rasool hai'n, Ye bilkul asaan tha k Aapki khabro aur Wahi ki baabat hum Aapko jhutlate rahe lekin Ab Mai'n Us Raaz ki baabat kya keh sakta hu'n Jiski khabar mere aur Safwan ke Siva teesre ko nahi, Allah ka shukr hai jisne mere dil me islam ka ye bahana bana diya _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se farmaya- Apne Bhai ko Deen sikhlao, Qur'an yaad Karao aur iske Farzand ko Azaad kar do, Umair Raziyallahu Anhu ne arz kiya- Ey Rasoole Rehmat ﷺ Mujhe ijazat dijiye k Mai'n Makka Waapas jau'n aur Logo'n ko islam ki Dawat du'n,*

*★_ Umair Raziyallahu Anhu ke Madina Jane ke baad Safwan ka ye haal tha k Sardarane Quresh se kaha karta tha k Dekho Chand Roz me kya gul khilne wala hai, Tum Badar ka Sadma bhool jaaoge,"*
*"_ Jab Safwan ko Khabar lagi k Umair Raziyallahu Anhu Musalaman ho gaye hai'n to use Sakht sadma hua aur usne Qasam khayi k Jab tak zinda rahunga Umair Raziyallahu Anhu se baat na karunga, na use koi fayda pahunchne dunga_,"*

*★_ 8 Hijri ke baad Ye Safwan khud bhi Jo Nabi ﷺ ka Sakht Dushman tha aur Makka ka Mash'hoor Sardaar tha Musalaman ho gaya tha, ( Tibri - 2/310)"*
*"_ Umair Raziyallahu Anhu Makka me aaye, Wo islam ki munaadi karte they aur Aksar log unke Haath per imaan le aaye they,*
[12/9, 7:22 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Badar me Shikasht pane ke baad Abu Sufiyan ne nahane dhone se qasam kha li thi, Jab Tak Badar ki Shikasht ka badla na liya jaye, Chuna'nche 200 Sawaro ko le kar Makka se nikla, Jab Madina ke qareeb Pahu'ncha to Sawaro ke daste ko bahar chhod kar khud tareeki shab me Madina ke andar aaya, Salam bin Mushkim Yahoodi se mila, Raat bha Sharab Noshi hoti rahi, Galiban dono ke Mashware se ye tay hua k Muqable ka waqt nahi isliye Abu Sufiyan Aakhir Shab waha'n se nikla, Sahaba ke phaldaar Darakhto, Khajooro ko Aag Laga kar, Ek Sahabi aur Unke Haleef ( Saathi) ko qatl qatl kar ke waapas chala aaya,*

*★_ Khabar milne ke baad qurquratul Kadr tak pichha hua, isliye iska naam "Gazwa qurquratul" kaha jata hai, Abu Sufiyan ka Risala ( Fauji Dasta) sattu ki theliya'n girata gaya tha, Jise Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne utha liya tha, isliye iska naam "Gazwatul Suweq" bhi hua _,"*

*★_ Quresh ka Chhotha Hamla Ya Jange Uhad ( 6 Shawwal Yaumul Sabt yani Jume Ka Din 3 Hijri):-*
*"_ Quresh Makka Agle hi saal Madina per Hamla Aawar hue, is Dafa unhone Makka me se Aam Chanda jama kiya tha, Abu Uzza Shayar ne tahama me gasht laga kar Banu Kanana ko Quresh ki madad per Amaada kar liya tha, Tijaarate Shaam ka 50 Hazaar Mishkaal Sona, Ek Hazaar oun't Jo Abhi taqseem nahi hue they, Chande me shamil kar diye gaye they, Algaraz 5 Hazaar Bahaduro ka Lashkar jisme 3 Hazaar oun't Sawaar, 200 ghode Sawaar aur 700 Zira Posh Pyada they, Madina tak badha chala aaya,*

*★_ Nabi ﷺ ki raay thi k Madina ke andar reh kar mudaf'at ( muqabla ) ki jaye, magar kasrate raay per faisla hua aur Sahaba ne Uhad ke Surkh Pahaad Tak Jo Madina se 3 Kos per hoga bahar nikal kar muqabla kiya_,"*
[12/10, 7:46 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ islami Lashkar me ek Hazaar mard they, Ain Waqt per Uba'i bin Salool ne daga di aur Apne Teen So Saathiyo'n ko Raaste hi me fair kar le gaya, isliye Saat so Musalamano per Paa'nv Hazaar Hamala Aawar ki Mudaf'at ka ( jo inteqam aur gusse ke josh me bhare hue they) baar tha, Musalamano ne ibtida me Dushman Ko Shikasht de di thi aur unke Barah Mash'hoor Alam bardaar ( Jinme Aath Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke haatho maqtool hue they) maare ja chuke they lekin Teerandazo ne us Darre ko chhod diya Jaha'n unhe Nabi ﷺ ne unko qaa'im farma diya tha, Chalaak Dushman ne moqa taad liya aur Chakkar kaat kar Uqab se ho kar Musalmano ko do taraf se beech me le liya, Musalamano ka us waqt Sakht Nuqsan hua aur lashkar ka bada hissa titar bitar ho gaya_,"*

*★_ Nabi ﷺ ke paas Sirf Barah Sahaba Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu, Umar Raziyallahu Anhu, Ali Raziyallahu Anhu, Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu, Sa'ad bin Waqas Raziyallahu Anhu, Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu, Zuber bin Awaam Raziyallahu Anhu, Abu Ubaida bin Jarrah Raziyallahu Anhu vagera they, Dushman ne Allah ke Nabi ﷺ per patthar fainke, ibne Qimiya ke patthar se Nabi ﷺ ki Peshani, ibne Shuhaab ke patthar se Nabi ﷺ ka Baazu zakhmi hua, Utba ke patthar se Nabi ﷺ ke Chaar Daa'nt toot gaye, Nabi ﷺ fir ek gaar me gir gaye, Khabar ud gayi k Huzoor ﷺ Shaheed ho gaye_,"*

*★_ Madina se Muharram Khwateen daudi daudi aayi'n, Yaha'n aa kar Fatima Batool Raziyallahu Anha ne Baap ke zakhmo ko dhoya, Peshani ka khoon na thamta tha, Usme Chata'i jala kar bhari, Ali Murtaza Raziyallahu Anhu us waqt dhaal me pani bhar kar late rahe, Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha aur Umme Sulaim Raziyallahu Anha ne Mashkeeze uthaye aur zakhmiyo ko pani la la kar pilati thi'n, Maidane Jung me Sattar Sahaba Shaheed hue they, Jung ke nuqsanaat me se bada bhari Nuqsan ye tha k Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu Jo Madina me bator Muallim e islam aaye they aur Jinke Waaz se Aus aur Khazraj ke Qabile imaan le aaye they, Shaheed hue,*

*★_ Isi Jung me Nabi ﷺ ke Chacha Hamza Raziyallahu Anhu ( Asadullah Wa Rasooluhu) bhi Shaheed hue, Dushman ne unke A'aza kaat kar unki laash ko bhi behurmat kiya tha, Jung ke baad Safiya Raziyallahu Anha Maadar Zuber Raziyallahu Anhu Apne Bhai Hamza ki Laash dekhne aayi'n, Zuber Raziyallahu Anhu ne Maa'n Ko door hi se roka, Safiya Raziyallahu Anha ne kaha- Mujhe maloom hai k mere Bhai ki laash bigaad di gayi aur behurmat ki gayi hai lekin ye to hamare liye Fakhr ka maqaam hai, Beta ! Mai'n na roungi na chillaungi, Sirf Dua Padh kar Waapas laut jaungi _,"*
[12/11, 8:18 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Isi Jung me Anas bin Nazar Raziyallahu Anhu ne jaame Shahadat Piya tha, Is Bahadur ne chand Bahadur Sahaba ko dekha k hathiyar faink diye hai'n aur magmoom bethe hai'n, Puchha kya haal hai ? Unhone jawab diya k Rasulallah ﷺ ka inteqal ho gaya, Anas Raziyallahu Anhu ne nihayat Josh se kaha - Aao Jaha'n Rasulullah ﷺ ne jaan di hai hum bhi usi kaam me Apni zindgi ka Khaatma kar de'n, Ab Zinda reh kar kya karenge, Ye Jaan Nisaar usi Josh me Sattar Zakhm jism per khane ke baad Shaheed ho gaye_," (Bukhari -2805, 4048, 4783)"*

*★_ Isi Jung me Sa'ad bin Rabi'a Raziyallahu Anhu Shaheed hue they, Jung khatm ho jane ke baad Nabi ﷺ ne unki talash me Aadmi bheje, ek ne dekha k Zakhmiyo me pade saa'ns Tod rahe Hai'n, puchha kya haal hai ? Sa'ad Raziyallahu Anhu ne kaha- tum mujhe Murda hi samjho, Lekin meharbani se Rasulullah ﷺ ki khidmat me Mera salam arz kar dena aur meri taraf se ye bhi guzarish karna k Allah Ta'ala Aapko wo Behatreen jaza ata farmaye jo kisi Nabi ko kisi ummat ki hidayat per na di gayi ho _,"*

*"_ Qaum ko meri taraf se keh dena k Jab tak ek jhapaki wali Aa'nkh bhi tumme se baqi rahe us waqt tak Agar Dushman Nabi ﷺ tak pahu'nch gaya to Allah ke Huzoor me Tum koi uzr pesh na kar sakoge _," (Haakim- 2/624, Tabqaat ibne Sa'ad -3/78 )*

*★_ Ek Sahabi ka bayan hai k Mai'n Abu Bakar Raziyallahu Anhu se milne gaya, Unki Chhati per ek chhoti si ladki bethi thi Jise wo baar baar choomte aur pyar karte they, Maine puchha ye kon hai ? Farmaya - Sa'ad bin Rabi'a Raziyallahu Anhu ki ladki hai, Wo mujhse bhi Bartar tha aur Qayamat ke din wo Naqibaan E muhammadi ( Sawari ke Aage Aage chalne walo ) me shumaar kiya jayega _," ( Zaadul Ma'ad )*
[12/11, 8:30 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Isi Jung me Ammar bin Ziyaad Raziyallahu Anhu Shaheed hue they, Jinhone jaan dete hue Apne Rukhsar Nabi ﷺ ke Talwo se laga diye they _," ( Kanzul Ummal -1359)"*

*★_ Abu Dujana Raziyallahu Anhu, Hanzla ( Gusle Malaa'ika ) Raziyallahu Anhu, Talha Raziyallahu Anhu, Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ki benazeer Shuja'at kamale isteqamat aur jaan nisaari ke bhi nihayat Shandaar Waqiaat isi Jung me pesh aaye, Talha Raziyallahu Anhu ne Apne haath se dhaal ka kaam liya aur Aan Hazrat ﷺ ki jaanib aane wale teer haath per roke, ye haath hamesha ke liye sun ( bejaan ) ho gaya tha_," ( Tareekh Tibri - 2/187)*

*★_ Banu Dinaar ki ek Aurat thi, Jiska Baap Bhai aur Shohar isi Jung me Shaheed hue they, Wo kehti thi k mujhe Rasulullah ﷺ ki baabat batlao, logo ne kaha Rasulullah ﷺ Allah Ta'ala ke Fazal se sahi saalim hai'n, Kaha - mujhe dikhlao, Jab door se chehra mubarak dekh liya to be Akhtyar keh uthi, Ab har ek musibat ki Bardasht ho sakti hai_,'*

*★_ isi Jung me baaz Sahaba Raziyallahu Anhum ne Aan Hazrat ﷺ se ( Jabki Huzoor ﷺ ko bhi kai Zakhm aaye they) arz kiya- kaash Aap ﷺ un Mushrikeen per bad dua farmaye'n, Nabi ﷺ ne farmaya- Mai'n laanat karne ke liye nahi banaya gaya hu'n, Mujhe to Allah ki taraf bulane wala aur Sarapa Rehmat banaya gaya hai, Ey Allah meri Qaum ko hidayat farma kyunki Wo mujhe nahi jaante _,"*
[12/12, 10:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh ki Chothi Saazish:- Junge Uhad ke baad Dushmano ne Sahaba ko Nuqsan pahunchane aur Pamaal karne ki mukhtalif tadbeero per Amal kiya, Chuna'nche 4 Hijri me Quresh ne Qaume Azal aur Qarah ke Saat Shakhso ko gaanth kar Madina me Nabi ﷺ ke paas bheja k Hamare Qabile islam lane ko Tayyar hai'n, Hamare Saath Muallim kar dijiye_,*

*★_ Rasulallah ﷺ ne Das buzurg Sahaba ko Jinke Sardaar Aasim bin Saabit Raziyallahu Anhu they ( Ye Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Naana they) Unke Saath kar diya, Jab ye Sahaba unki zad me pahu'nch gaye to unke Do So jawan aaye k inhe zinda giraftaar kar le'n, 8 Sahaba muqala Karte hue Shaheed ho gaye aur Do buzurg waar Hazraat Khubaib bin Adi aur Zaid bin Dasna Raziyallahu Anhum giraftaar kar liye gaye,*

*★_ Sufiyan Hazli inhe Makka le gaya aur Quresh ke paas farokht kar diya, Quresh ne inhe Haaris bin Aamir ke ghar me chand Roz Bhooka pyasa rakha, Ek Din Haaris ka Bachcha Tez chhuri se khelta hua Khubaib Raziyallahu Anhu ke paas pahunch gaya, Unhone bachche ko Zaanu per bithaya aur chhuri le kar rakh di, Jab Bachche ki Maa'n ne Yakayak dekha k uska Bachcha Chhuri le kar Qaidi ke paas hai Jise chand Roz se unhone be aab v be daana rakha tha, to Usne be Akhtyar cheekh maari _,"*

*★_ Khubaib Raziyallahu Anhu ne kaha k Ye Samajhti hai k Mai'n bachche ko qatl kar dunga, Ye nahi jaanti k Musalman ka kaam gadar karna nahi, Zalim Quresh walo ne chand Roz ke baad Khubaib Raziyallahu Anhu ko Saleeb ke niche le ja kar khada kar diya aur kaha Agar islam chhod do to tumhari Jaan Bakhshi ho sakti hai, Dono buzurgwaaro ne Jawab diya k jab islam baqi na raha to jaan ko rakh kar kya karenge _,"*
[12/13, 11:16 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Quresh ne puchha k koi tamanna ho to bayan karo, Khubaib Raziyallahu Anhu ne kaha- Do Raka'at Namaz padh lene ki mohlat di jaye_, Mohlat di gayi, Unhone Namaz ada ki, Hazrat Khubaib Raziyallahu Anhu ne kaha- Mai'n Namaz me zyada waqt Sarf karta lekin Socha k Dushman ye na kahe k Maut se dar gaya, be Rehmao dono ko Saleeb per latka diya aur Neze ki Ani se unke jismo ki ek ek hisse per cheere lagaye_,*

*★_ Allahu Akbar ! Unka Dil islam per kitna qaa'im tha, Unko Deene Haq per kitni isteqamat thi, Unko hamesha ki nijaat aur Allah ki khushnoodi ka kitna Yaqeen tha k Un Tamaam Takleefo aur Aziyato ko bardasht karte hue zara uf tak nahi ki,*

*★_ Ek Sakht Dil ne Hazrat Khubaib ke jigar ko chheda aur puchha- kahi ab tum bhi pasand karte ho'nge k Muhammad ﷺ fan's jaye'n aur Mai'n chhoot jaau'n, ? Khubaib Raziyallahu Anhu ne nihayat Josh se jawab diya- Allah jaanta hai k Mai'n to ye bhi pasand nahi karta k meri jaan bach jane ke liye Nabi ﷺ ke Paa'nv me Kaa'nta bhi lage _," ( Tibri v ibne Hisham- 2/123)*

*★_ Allah ke is Barguzida Bande ne un tamashaiyo ke Hujoom me Saleeb ke niche khade ho kar jo Ash'aar kahe hai'y, Unse is Manzar ki poori kaifiyat aur Us buzurgwaar ki Sadaqat v Muhabbate islam ki Pakiza Soorat ba khoobi nazar aati hai_,"*

*★_ Sabse Aakhir me ye Dua ki :- Ey Allah humne Tere Rasool ﷺ ke Ahkaam in Logo'n ko Pahu'ncha diye, Ab tu Apne Rasool ﷺ ko hamare Haal ki aur inke Kartooto ki khabar farma de_,"*
*"_ Sa'ad bin Aamir Raziyallahu Anhu ( jo Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Ummal me se they) Unka ye haal tha k Kabhi kabhi Yakbaargi behosh ho jaya karte they, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne unse vajah puchhi, Wo bole - Mujhe na koi marz hai na koi shikayat hai, Jab Khubaib Raziyallahu Anhu ko Saleeb per chadhaya gaya To Mai'n us Majme me mojood tha, Mujhe jis waqt Khubaib Raziyallahu Anhu ki baate'n yaad aa jaati hai'n, Mai'n Kaa'np kar behosh ho jaata hu'n _,"*
[12/13, 5:28 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Ek aur Saazish aur Sattar Muballigeen E islam ki Shahadat:- Abu Bar'a Aamir ne bhi esa hi fareb kiya, Nabi ﷺ ki khidmat me aaya aur arz kiya k Mulk Najdi ki taleem v hidayat ke liye kuchh munaadi mere saath bhej dijiye, Uska Bhatija Najad ka Ra'ies tha, Aamir ne Yaqeen dilaya tha k Munaadi karne walo ki hifazat ki jayegi _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Manzar bin Amru Ansari Raziyallahu Anhu ko Sattar Sahaba ke saath jo Qurra v Fuzla v Muntakhab buzurgwaar they Uske Saath kar diya, Jab Wo Bair Mauna per ja pahunche jo Bani Aamir ka ilaaqa tha Waha'n se Haraam bin Malhan ko Naama Nabvi ﷺ de kar Tufail Haakim ke paas bheja gaya, Usne is Safeer ko qatl kar diya, Jabbar bin Sulmi ek Shakhs tha Jisne Haakim ke ishare se unki Pusht me neza maara tha, Jo chhati se saaf nikal gaya, Unhone girte hue kaha - qasam hai Kaaba ke Rab ki, Mai'n Apni Muraad ko pahu'nch gaya_," ( Bukhari-4042, 4091)*

*★_ Qatil per is fiqre ne esa asar kiya k Nabi ﷺ ki khidmat me haazir ho kar imaan le aaya, Haakim ne baqi sabko bhi qatl kara diya, Kaab ibne Zaid Raziyallahu Anhu ne jo chhup kar bache rahe they, is Waqie ki khabar Aan Hazrat ﷺ ko pahunchayi,*
[12/16, 12:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Quresh ka Paanchva Hamla, Ahad Shikni aur Fateh Makka_,"*
*"_ isi Saal ( 8 Hijri) Musalamano ko iztraban Maahe Ramzan me Makka per fauj Kashi karni padi, Vajah ye hui k 6 Hijri me Jo Muahida Quresh ne Nabi ﷺ se Ba Muqaam Hudebiya kiya tha, Uski ek Shart me ye bhi tha k, "10 saal tak Jung na hogi, is shart me Jo Qaume Nabi ﷺ ki jaanib milna chahe ki taraf milna chahe'n wo udhar mil jaye'n _,"*

*★_ Iske muwafiq Bani Khuza Nabi ﷺ ki taraf aur Banu Bakar Quresh ki taraf mil gaye they, Muahide ko abhi 2 Baras bhi poore na hue they k Banu Bakar ne Banu Khuza per Hamla kiya aur Quresh ne bhi Banu Bakar ko Aslaha se imdaad di, Ikrama bin Abu Jahal, Suhail bin Amru ( Muahide per isi ne dastkhat kiye they) Safwan bin Umayya ( Mash'hoor Sardarane Quresh) ne khud bhi Naqaab Posh ho kar Ma Apne Hawali v Mawali ( Dosto'n) ke Banu Khuza per Hamla Aawar hue _," ,( Tareekh Tibri-2/296)*

*★_ Un Becharo ne Amaan bhi maangi, Bhaag kar Khana Kaaba me panah bhi Li, magar Unko Har jagah be dareg ta teg kiya gaya, Ye Mazloom jab "Apne Rab ke Waaste, Apne Rab ke Waaste" keh kar Raham ki darkhwast karte they to ye Zaalim unke jawab me Kehte "Aaj Rab koi cheez nahi"_," ( Seerat ibne Hisham- 3/395)*

*★_ Mazloomo ke bache khuche 40 Aadmi jinhone Bhaag kar Apni jaan bachayi thi, Nabi ﷺ ki khidmat me pahunche aur Apni Mazloomi v Barbaadi ki Daastan Sunayi_,"*
*"_ Muahide ki pabandi, Fareeq Mazloom ki Daavri ( Insaaf ), Dost Daar Qaba'il ki Aainda Hifazat ki garaz se Nabi ﷺ Makka ki jaanib Sawaar ho gaye, 10 Hazaar ki Jami'at Ham rakaab thi _," ( Sahi Bukhari- 1744, 4276)*
[12/17, 6:59 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abhi 2 Manzil chale they k Raah me Abu Sufiyan bin Haaris bin Abdul Muttalib aur Abdullah bin Abu Umayya Aan Hazrat ﷺ se mulaqaat ko aaye, Ye Wo log they Jinhone Nabi ﷺ ko sakht se sakht iyzaae'n di thi aur islam ko mitane me badi badi Koshishe ki thi'n _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne unhe dekha aur Apna Rukh fair liya, Ummul Momineen Umme Salma Raziyallahu Anha ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! Abu Sufiyan Aapke Haqeeqi Chacha ka beta hai aur Abdullah Haqeeqi Foofi ( Aatiqa ) ka ladka hai, itne Qareebi to Murhamat se mehroom na rehne chahiye _,"*

*★_ Uske baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne un dono ko ye Tarkeeb batlayi k Jin Alfaz me Bradarane Yusuf Alaihissallam ne maafi ki darkhwast ki thi, Tum bhi Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me ja kar unhi Alfaz ka istemal karo, Nabi ﷺ ke Afu v Raham se ummeed hai k Zaroor Kaamyaab ho jaa'oge, Unhone Haazir Ho kar (Surah Yusuf- 91) Ye Aayat padhi :-*
*( Tarjuma) Khuda ki qasam ! Khuda ne tumko hum per Fazilat bakhshi hai aur beshak hum khatakaar they _,"*
*_ Rasulullah ﷺ ne farmaya :- ( Tarjuma) Aaj Tum per Naraaz na hoga, Allah tumhe Maaf kar dega aur Wo Meharban bada Raham karne Wala hai _,"*

*★_ Us waqt Abu Sufiyan ne Ajab Josh v Nishaat se Ye Ash'aar padhe :- Qasam hai k Jin Dino Mai'n nishane Jung isliye uthaya karta tha k Laat ( But ka naam ) ka Lashkar Muhammad ﷺ ke Lashkar per gaalib aa jaye, Us waqt Mai'n us khaar Pusht jesa tha jo Andheri Raat me takkare khata ho, Ab Wo waqt aa gaya k Mai'n Hidayat paau'n aur Sidhe Raaste per ho Jaau'n, Mujhe Haadi ne ( na k mere nafs ne ) Hidayat di hai aur Allah ka Rasta mujhe us Shakhs ne batlaya hai Jisko Maine dhutkaar diya aur chhod diya tha _,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Haa'n Tum to mujhe chhodte hi rahe they_,"*
*( Zaadul Ma'ad- 3/400, Mustadrak Haakim- 3/43,44)*
[12/18, 8:10 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ki khwahish thi k Ahle Makka ko is Aamad ki khabar na hone paye, Chuna'nche esa hi hua k Jab Aan Hazrat ﷺ Makka tak pahunch kar bahar khema zan ho gaye aur Ahle Makka ko ba Khabar karne ke liye Lashkar me Alaav Roshan karne ka hukm diya tab Unko khabar hui, Doosri Subeh Nabi ﷺ ne hukm diya k Fauj Mukhtalif raasto se Shehar me dakhil ho aur in Ahkaam ki pabandi kare:-*

*★_ Jo Shakhs Hathiyar faink de use Amaan diya jaye, Jo koi Shakhs Khana Kaaba ke andar pahu'nch jaye use Amaan diya jaye, Jo koi Shakhs Apne Ghar ke andar betha rahe use Amaan diya jaye, Jo koi Shakhs Abu Sufiyan ke ghar ja rahe use Amaan diya jaye, Jo koi Shakhs Haakim bin Huzaam ke ghar ja rahe use Amaan diya jaye, Bhaag Jane Wale ka pichha na kiya jaye, Zakhmi ko Amaan diya jaye, Aseer ko Amaan diya jaye_,"*

*★_ Shehar me dakhil hone wale Dasto me Sirf us daste ka jo Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ke Maat'hat tha kuchh muqabla hua Jisme Ahle Makka ko bhaagna pada, Baqi sab daste bila Mazahmat Shehar me dakhil ho gaye, Muqable me 2 Sahaba aur 28 Muqabil kaam aaye,*

*★_ Allah ke Barguzida Rasool ﷺ jis waqt ( 20 Ramzan ) Shehar me dakhil hue us waqt Sar Jhukaye, Qur'an Majeed ( Surah Fatah) ki tilawat farma rahe they aur oun't per Baitullah ko ja rahe they aur Oun't per Apne saath Apne Azaad Karda Gulam Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ke Farzand Osama Raziyallahu Anhu ko Sawaar kiya hua tha, Waha'n pahu'nch kar pehle Allah ke ghar ko Buto se paak kiya, Us waqt Baitullah ke ird gird 360 But rakhe hue they, Nabi ﷺ kamaan ke goshe ( ya Chhadi ki nok ) se har ek But ko girate jate they aur Zubaan Mubarak se ye padhte jate they :-*
*"_ ( Surah Bani Israily- 81, Tarjuma) Haq aa pahuncha aur Baatil mit gaya, aur Yaqinan Baatil esi hi cheez hai jo mitne wali hai _,"*
*"(Surah Saba - 49, Tarjuma)- Haq aa chuka hai aur Baatil me na kuchh Shuru karne ka Dam hai na dobara karne ka _,"*
[12/19, 11:03 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Is kaam se faarig ho kar Usman bin Abi Talha ko talab farmaya, Unke khandaan me muddat se Kaaba ki Kaleed Bardari ( Chaabi ki zimmedari) chali aa rahi thi, Ibteda e Ayyame Nabuwat me ek dafa Nabi ﷺ ne isi Usman se farmaya tha k Baitullah khol do, Usne inkaar kiya tha, Aan Hazrat ﷺ ne farmaya tha - Achchha tum dekh lena k Ek Din ye Kaleed ( chaabi) mere haath me hogi aur Mai'n jise chahunga use ata karunga, Usman ne jawab diya tha k Kya us Roz Quresh ke sab hi mard zaleel v tabaah ho jayenge, Nabi ﷺ ne farmaya tha k Wo aur bhi zyada izzat v iqbaal se ho'nge _,"*

*★_ Ab Nabi ﷺ ne Kaleed le kar Baitullah ka darwaza khola, Andar ja kar har goshe me Allahu Akbar ke tarane gaaye aur fir Namaz Shukrana padhte hue nihayat Aajizi v Nyaaz se Rabbul izzat ke Saamne Peshani ko khaak per rakh kar Sajda kiya, is arse me Makka ke wo sab Sardaar aur Sab bade bade log jama ho gaye they Jinhone beeso Sahaba ko maara ya marwaya tha, Senkdo Sahaba ko Aziyate de de kar Ghar baar se nikala tha, Deene islam ko tabaah karne aur Musalamano ko barbaad karne ke liye Habsha, Shaam, Najd, Yaman tak ke safar kiye they, Jinhone baarha Madina per hamle kar ke Sahab ko 300 meel per chale Jane ke baad bhi chain se nahi rehne diya tha, Yani wo sab log jo imaan walo ko fana karne me zar se, Maal se, Zor se, Tadbeer se, Hathiyar se Apna Saara zor laga chuke they aur inhi napaak koshisho me 21 saal tak barabar munhamik rahe they,*

*★_ Allah ke Rasool ﷺ Jinko Allah ne Tamaam Makhlooq ke waaste Rahmat banaya ja ibaadat se faarig ho kar bahar Ronaq Afroz hue they Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu ne arz kiya k Kaleed e Baitullah Bani Hashim ko ata farmayi jaye, Nabi ﷺ ne farmaya - Aaj ka din to Sulook karne, poore atyaat dene ka hai, Fir Usman bulaya, Usi ko Kaleed marhamat farmayi aur irshad farmaya k Jo koi tumse ye Kaleed chheenega wo Zaalim hoga _,*

[12/20, 8:12 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Fatah Makka ke baad Nabi ﷺ ki taqreer Maftuheen aur Dushmano Ke Saamne :-*
*"_Ab Rehmatul Aalameen ﷺ us gardan zadni v kushtni jama'at ki jaanib mutavajjah hue aur Zuban Mubarak se farmaya - Ey jama'at Quresh ! Allah ne Tumhari jahilana nakhoot (ghamand) aur Aaba v Ajdaad per itrane ka guroor Aaj tod diya hai, ( Sach to ye hai ) Sab log Aadam ke Farzand hai'n aur Aadam Alaihissallam mitti se banaye gaye they, Allah farmata hai - Logo'n ! Humne tumko ek Mard aur Aurat se paida kiya hai aur Got v Qabile sab pehchan ke liye bana diye hai'n aur Allah ke Yaha'n to uski zyada izzat hai Jisme Taqwa zyada hai _," fir farmaya - " Jao tum sab Azaad ho aur tum per Aaj koi muakhza nahi _,"*

*★_ Islam lane walo se Bayt aur Uski Shara'it :-*
*"_ fir Nabi ﷺ ne Kohe Safa per beth kar Musalaman hone walo ki Bayt Qubool farmayi, is moqe per Umar Farooq Raziyallahu Anhu ek ek Shakhs ko pesh karte they, Bayt karne walo ko mindarja zail baato ka iqraar karna padta tha:-*
*"_(1)_ Mai'n Allah ke Saath kisi ko bhi uski zaat me, Sifaat me aur istehqaaq ibaadat v istehqaaq isteanat me shareek na karunga,*
*"(2)_ Mai'n Chori na karunga, Zina na karunga, Khoon Na-haq na karunga, Ladkiyo'n ko jaan se na maarunga, Kisi per Bohtaan na lagaunga _,"*
*(3)_ Mai'n Umoor Haq me Nabi ﷺ ki ita'at ba qadre isteta'at karunga _,"*
*"_ ( Tibri - 2/309)*

*★_ Aurto'n se Mazeed iqraar ye bhi liye jate they :- Kisi ke Sog me moo'nh na nochengi, Tamancho se Chehra na peetengi, na Sar ke baal khasotengi, na gireban chaak karengi, na Syaah kapde pehnengi aur na qabr per sogwaar bethengi _,"*

*★_ Aurto'n se Bayt lene ka Tareeqa ye tha k Pani ke Baasan me Aan Hazrat ﷺ apna haath daal kar nikaal lete, fir Bayt karne wali us Baasan me Apna haath daalti, Doosre moqe per Sirf iqraar zubani le kar hi Takmeele Bayt farmaya karte _,"*
[12/21, 6:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Fateh Makka se doosre Din ka zikr hai k Nabi ﷺ Kaabe ka tawaf kar rahe they, Fuzala bin Umair ne moqa dekh kar iraada kiya k Aan Hazrat ﷺ ko qatl kar daale, Jab wo is iraade se qareeb Pahu'ncha to Nabi ﷺ ne farmaya- Kya Fuzala aata hai ? Wo bola - haa'n, Nabi ﷺ ne farmaya- Tum Apne Dil me abhi kya iraada kar rahe they ? Fuzala bola - kuchh nahi, Mai'n to Allah Allah kar raha tha_,"*
*"_ Nabi ﷺ ye Sun kar ha'ns pade aur farmaya - Achchha tum Apne Rab se Apne liye maafi ki darkhwast karo _,' ye farma kar Apna haath bhi uske Seene per rakh diya,*

*★_ Fuzala Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Haath rakh dene se mujhe bahut itminane Qalb Haasil hua aur Aan Hazrat ﷺ ki Muhabbat is qadar mere Dil me paida ho gayi k Huzoor ﷺ se bad kar koi bhi mehboob na raha _,"*
*"_ Mai'n Yaha'n se ghar ko chala, Raaste me meri Mashooqa mili jiske paas Mai'n betha karta tha, Usne Kaha Fuzala ek baat sunte jao, Maine Jawab diya - nahi, Allah aur islam esi baato se mana karte hai'n_,"*
*"( Zaadul Ma'ad- 3/413, ibne Hisham- 2/417, Sunan Abi Daouwd- 2683)*

*★_ Nabi ﷺ ki paak Seerat ka bayan na mukammal reh jayega Agar Afu Taqsiraat ka jo Makka me farmayi gayi zikr na kiya jaye, Waaze ho k Makka me dakhil hone se pehle tamaam fauj ko hidayat kar di gayi thi k kisi Shakhs per hamla na kare'n, lekin Chaar Mard Do Aurte'n jo Apne Saabqa Jaraa'im ki vajah se Wajibul kasaas they, Elaan kar diya gaya k unko qatl kar diya jaye, Un Chaar Mardo'n me se sirf Abdullah ibne Khutal ko qatl kiya gaya, Ye pehle Musalman ho chuka tha, Ek Roz isne Apne Gulam ko isliye qatl kar diya k Waqt per khana Tayyar nahi kiya tha, Qatl ke baad Makka bhaag aaya tha, Baqi teen Ikrama bin Abu Jahal, Hibaar bin Aswad aur Abdullah bin Sa'ad bin Abi Sarah ko maafi di gayi_,"*
[12/22, 8:08 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ikrama Abu Jahal ka beta tha aur baarha Musalmano se Jung kar chuka tha, Ab haal hi me bhi Banu Khuza ko jo Musalamano ke Haleef they Tabaah karne ka baa'is yahi tha, Hibaar bin Aswad ne Sayyada Zainab binte Rasulullah ﷺ ke jabki Wo Makka se Madina ko Hodaj me bethi ja rahi thi'n Neza maara aur Kajawa ko giraya tha, is Sadme se unka Hamal Saaqit ho gaya tha aur bil Aakhir isi Sadme se unhone wafaat payi thi,*
*"_ Abdullah bin Sa'ad bin Abi Sarah kehne laga k Wahi to mere paas aati hai aur Muhammad ﷺ to mujhse sun kar likhwa dete Hai'n_,"*
*"_ Ese Mujrimeen per Raham farmana Nabi Rehmatul Aalameen ﷺ ka hi kaam hai _,"*

*★_ Do Aurto'n me se ek Aurat ko jo qatl Umd ka irtkaab kar chuki thi Saza v Qasaas di gayi, Maafi pane walo me Hind Zoja Abu Sufiyan bhi hai, is Aurat ne Nabi Kareem ﷺ ke Chacha Hamza Raziyallahu Anhu ka Kaleja Seene se nikaal kar Daa'nto se chabaya, unki Naak ko kaat kar dhaage me Piro kar gale ka haar banaya tha,*

*★_ Wahshi ko bhi maafi di gayi, Jisne Ameer Hamza Raziyallahu Anhu ( Asadullah Wa Rasooluhu) ko dhoke se maara tha aur Fir laash ko be hurmat kiya tha,,*.
*"_ Gor karne se maloom hota hai k Aan Hazrat ﷺ ke Lashkar ne Makka Fateh nahi kiya tha balki Khalqe Muhammadi ﷺ aur Afu v Raham Mustafa ﷺ ne Ahle Makka ke Dilo ko Fateh kar liya tha_,"*

*★_ Fateh Makka ke baad Ganimat ke tor per Kuffar ke maal v Jins per Qabza karne ka to kya zikr hai, Muhajireen Sahaba Jo Makka hi se Ujad kar gaye they, Unke gharo per Quresh ne Qabza kar liya tha, Ab un Sahaba ne Nabi ﷺ se Apni Jaaydaado ke waapas dilaye jane ki darkhwast ki lekin Nabi ﷺ ne unki is darkhwast ko na manzoor farma diya_," ( Zaadul Ma'ad-320)*

*★_ Goya Huzoor ﷺ ka mudda'a ye tha k Jin Cheezo ko tum Allah ke liye chhod chuke ho, Ab unki Waapsi ka kyu sawal karte ho _,"*
[12/23, 8:03 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Fateh Makka ke nataa'ij, islam me Ba Kasrat Dakhil hone ki Vujuhaat _,*
*"_ Fateh Makka ke baad ( Jo Suleh aur Maafi se Hazaar Darja badh kar hai ) islam lane walo ki Tadaad kaseer dar Kaseer ho gayi thi, iske chand Asbaab hai'n, Bahut se Qaba'il islam se isliye ruke hue they k Wo Quresh ke hum Ahad they aur islam lana ba manzila Ahad Shikni ke tha, Bahut se Qaba'il islam lane se isliye ruke hue they k Wo Quresh ke muqable me bahut kamzor they, Magar unke Talluqat aur Rishtedari Quresh ke saath Wabasta thi, aur unka khayal tha k islam lane se Talluqaat bhi munqata ho jayenge aur ye log Quresh ke gaiz v gazab ke shikaar ban jayenge _,"*

*★_ Bahut se Qaba'il ki raay thi k Musalmano ka Makka per qaabiz hona Jana hi unki Sadaqat ka sahi Nishan aur Allah ke Yaha'n maqbool hona hi ho sakta hai kyunki Senkdo saal se Qaumi rivayaat unme chali aati thi k Makka per esa koi shakhs Fateh nahi pa sakta jiske Saath Rabbul Aalameen ki Nusrat v Taa'ied na ho _,"*

*★_ Mukhtalif Qaba'il me Beesiyo Budhe ese mojood they Jinhone Faateh Yaman Abraha Habshi ke Chalees Hazaar lashkar Jaraar ko Makka per Hamla Aawar hote hue dekha tha, Us Lashkar me Hathi bhi they aur Abraha ki khaas Sawari ka haathi Mehmood nasl ka tha, Un Budho ne Apni Aankh se Saath Saal peshtar un Habshiyo ko Makka per Hamla karte hue dekha aur ye bhi dekha k Ahle Makka unke dar se Ghar baar chhod kar Pahaado ki chotiyo per ja rahe they aur Shehar me ek bhi Shakhs Hamla Aawar fauj ka muqabla karne wala na reh gaya tha aur unhone ye bhi dekha tha k Abraha ki fauj Khasta v barbaad hui aur Fauj ka Sardaar Abrah ba haal Tabaah v khwab esi haalat me bhaaga k na fauj saath thi na haathi, balki Sabki laashe Makka se Chaar Kos per padi sad rahi thi'n_,"*
[12/24, 8:06 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Un Budho ko Ab tak Abde Munaaf aur Abraha ki guftgu v kalaam bhi yaad thi k Jab Abraha ka Lashkar Makka ki Sarhad per utra to unhone Makka ke Maweshi jo jungle me char rahe they pakad liye, Unme Abde Munaaf ke bhi so oun't they, Abde Munaaf hamare Nabi ﷺ ke pardaada they aur Us Waqt Makka ke Sardaar yahi they, Khoob lambe chode Surkh v Safed, Shakl se Amarat v Ro'ab barasta tha, Ye khud Habshiyo ke Lashkar me gaye aur Abraha ko mile, usne Tazeem di aur barabar bithaya aur puchha k kis tarah Tashreeh laye _,*

*★_ Abde Munaaf ne kaha - Hamare Maweshi Aapki fauj ne pakad liye hai'n, Barahe meharbani unko chhod dene ka hukm dijiye _,"*
*"_ Abraha bola - Jab Aap aaye they to mere Dil me Aapki badi waq'at paida hui thi lekin Aapki baate Sun kar ab wo waq'at qaa'im rahi na izzat _,"*
*"_ Abde Munaaf ne puchha - ye kyu ? Abraha bola - dekho Mai'n isliye aaya hu'n k tumhare is ibaadat khane ko gira du'n jise tum sabse zyada Muqaddas samajhte ho aur jiske saamne mere tameer karda Kalisa ki waq'at v izzat Arab ki nigaah me ab tak kuchh nahi hui, Tum Apne muqaddas muqaam ke bachaav ka zara bhi zikr nahi karte aur Apne Maweshiyo ko isse zyada qeemti samajhte ho _,"*

*★_ Abde Munaaf ne kaha - Nahi , Mai'n Maweshiyo ko isse bad kar nahi samajhta, baat ye hai k Mai'n Maweshiyo ka Maalik hu'n aur mujhe unki Fikr hai aur Us ghar ka Maalik ek aur hai aur use Apne ghar ka khud hi khayal hoga, Mujhe is fikr ki zarurat nahi _,"*

*★_ Algaraz jab Makka per musalmano ko esi Kamyaabi aur Asaani ke saath Qabza hua to islam lane walo ke saamne muahidaat ki rok uth gayi, Quresh ka Dabaav aur Ro'ab bhi jaata raha aur Musalamano ka maqbool e ilaa hona bhi unhone apne muqarrar karda maiyaar ke muwafiq dekh liya aur in wujuhaat se islam lane walo ki kasrat ho gayi, Sabse Aakhri aur chothi vajah ye hai k islam ki Haqeeqat ko Samajhane aur islam ki Tableeg karne me Waizeene islam ke saamne koi rok tok aur dikkat baqi na rahi thi, Waaiz Azaadi se munaadi kar rahe they, Saama'ien Azaadi v itminaan se waaz sunte they aur islam ki kashish Kaamil logo ko Apni jaanib kheench leti thi_,*
[12/25, 5:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hawazin v Saqeef ke Hamle ki Mudaf'at ya Junge Hunain ( Shawwal 8 Hijri ):-*
*"_ Fateh Makka ho jane se Hawazin aur Saqeef ke Qabilo ne Jinki Had Makka se milti thi, Socha k Agar hum musalmano ko Shikasht de de'n to Ahle Makka ke Jis qadar bagaat v Jaagire Taa'if me Hai'n Wo bila khof hamare ho jayenge aur Musalamano se But Shikni ke Jurm ka inteqam bhi liya ja sakega _,"*

*★_ Unhone Bani Muzir aur Bani Hilaal ke Qabilo Ko bhi Apne saath Mila liya aur Chaar Hazaar bahadur le kar Makka rawana hue aur Vaadi Hunain me utre, unhone Apne Sardaar Maalik bin Auf ke mashware se Apne Zan Bachche, maal Maweshi ko bhi bhi saath le liya tha, Maalik ne is Tadbeer ka ye Fayda batlaya tha k Zan v Bachche, maal Maweshi ko chhod kar koi Shakhs bhi maidaane Jung se faraar Akhtyar nahi karega _,"*

*★_ Ye khabar Sun kar Nabi ﷺ bhi ( Jo Makka ke qareeb aur Haram ki sar Zameen per Jung karna munasib nahi Samajhte they ) Makka se aage badhe, Islami Lashkar me Makka ke do Hazaar Shakhs aur bhi shamil ho gaye they, is Tadaad me nav muslim bhi shamil they aur But Parast Muahid bhi, Fauj ki Majmui Tadaad barah Hazaar ho gayi thi, Fauj ko Apni Kasrat per guroor bhi ho gaya tha isliye wo Marahile Jung ki Ahatyaat se bhi door they _,"*

*★_ Dushman ne Ek Tang aur Dushwar Guzaar Darre me ghaat lagayi aur Apne Teerandazo ko waha'n bithlaya, Jab Lashkar islam ka Agla hissa ( jisme zyadatar tar be khabar Nojawan they jinke paas Hathiyar bhi nahi the ya Ladayi ki zarurat ke muwafiq na they ) Dushman ki zad me be khabar ja pahuncha, to unhone itne teer barsaye k unhe Sar chhupa kar bhaagne hi ki soojhi, Taqriban So Sahabi maidaan me khade reh gaye they, Nabi ﷺ ne jab chaaro taraf se Hamla Aawaro ko badte aur Apne lashkar ko bhaagte dekha to be nazeer Shuja'at v isteqamat ka namoona dikhlaya, Aan Hazrat ﷺ apne khachchar se utre aur ye farmana shuru kiya - Mai'n Nabi hu'n, Isme zara bhi shubha nahi, Mai'n Abdul Muttalib ka Farzand hu'n _,"*
*"_ Matlab ye tha k meri Sachchayi ka maiyaar fauj ki Shikasht ya Fateh nahi hai balki meri Sadaqat khud meri zaat se hoti hai _,"*
[12/26, 8:33 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko Muhajireen v Ansar ke pate se bulana shuru kiya, Wo sab Awaaz sunte hi Kabootaro ki tukdi ki tarah ek Awaaz per palte, Ab Fauj ki Tarteeb Az sare no ki gayi, Ansar v Muhajireen ko aage badhaya gaya, Ganeem is Hamle se bhaag nikla aur Do hisso me muntashir ho gaya_,"*

*★_ unka Sardaar Maalik bin Auf Jungi Mardo'n ko le kar Qila Taa'if me ja thehra, Doosra giroh Jinme unke Ahlo Ayaal they aur zar v maal they Otaas ki ghaati me ja betha, Nabi ﷺ ne Qila Taa'if ke muhasre ka hukm farmaya aur Otaas ki taraf Abu Aamir Ash'ari Raziyallahu Anhu ko Mamoor farmaya, Abu Aamir Ash'ari Raziyallahu Anhu ne waha'n pahu'nch kar Dushman ke Ahlo Ayaal aur Zar v maal per Qabza kar liya, Jab Nabi ﷺ ko Otaas ka natija maloom hua to Qile ka muhasra utha Dene ka hukm diya kyunki un logo per Ahlo Ayaal ke jaate rehne ki bhaari musibat pad chuki thi,*

*★_ Otaas me 24 Hazaar oun't, 40 Hazaar Bakriya'n, 4 Hazaar Oqia Chaa'ndi aur 6 Hazaar zan v Bachhe Sahaba ke haath Lage they, Nabi ﷺ Abhi Maidane Jung ke qareeb hi thehre hue they k Qabila Hawazin ke kuchh Sardaar aaye aur Unhone Raham ki darkhwast pesh kar di, Unme Wo log they Jinhone Taa'if me Nabi ﷺ per patthar barsaye they aur Aakhri martaba waha'n se Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ ko behoshi ki haalat me utha kar laye they _,*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya :- Haa'n Mai'n khud tumhara intezar kar raha tha ( aur isi intezar me Taqriban do hafte ho gaye k Maale Ganimat ko bhi taqseem na kiya tha ) Mai'n Apne hisse ke aur Apne khandaan ke hisse ke Qaidiyo ko ba asaani chhod sakta hu'n aur Agar mere saath sirf Ansar v Muhajireen hi hote to sabka chhod dena bhi mushkil na tha, Magar tum dekhte ho k is Lashkar me mere saath wo log bhi hai'n Jo Abhi Musalaman nahi hue, isliye Ek Tadbeer ki zarurat hai, Tum kal Subeh ki Namaz ke baad aana aur Majma Aam me Apni darkhwast pesh karna, Us waqt koi soorat nikla aayegi _,"*

*★_ Farmaya - Tum Khwah maal ka waapas lena pasand kar lo ya Ahlo Ayaal ka kyunki Hamla Aawar Lashkar ko khaali rakhna dushwar hai _,"*
[12/27, 7:52 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Be Nazeer Fayyazi aur Raham _,"*
*★_ Doosre Din wohi Sardaar aaye aur unhone Aam Majma me Apne Qaidiyo ki rihayi ki darkhwast Nabi ﷺ ki khidmat me pesh ki,*
*"_ Nabi Rahmatul Aalameen ﷺ ne farmaya Mai'n Apne aur Banu Abdul Muttalib ke Qaidiyo ko bila kisi mu'awza ke riha karta hu'n, Ansar v Muhajireen ne kaha - Hum bhi Apne Apne Qaidiyo ko bila kisi mu'awza ke Azaad karte hai'n _,"*

*★_ Ab Bani Sulem v Bani Fuzara reh gaye, Unke nazdeek ye Ajeeb baat thi k Hamla Aawar Dushman per ( Jo khush Qismati se Zair ho gaya) esa Raham v Lutf kiya jaye, isliye unhone Apne Hisse ke Qaidiyo ko Azaad na kiya, Nabi ﷺ ne unhe bulaya, Har ek Qaidi ki qeemat 6 oun't qaraar payi, Ye qeemat Nabi Kareem ﷺ ne ada kar di aur is tarah baqi Qaidiyo ko bhi Azaadi dilayi, fir Sab Qaidiyo ko Apne Huzoor se Libaas pehna kar rukhsat farma diya _,"*

*★_ Un Qaidiyo me Daa'i Halima ki Beti Sheema bint Haaris bhi thi, Nabi ﷺ ne us Doodh ki Behan ko pehchana aur uski nashist ke liye Apni chaadar zameen per bichha di, Farmaya- Agar tum mere paas thehro to behtar hai aur Agar Qaum me Waapas Jana ho to Akhtyar hai, Unhone Waapas Jana chaha, Aan Hazrat ﷺ ke hukm se unhe izzat v ikraam ke saath unki Qaum me bhej diya gaya _,"*

*★_ Maale Ganimat Nabi ﷺ ne isi jagah taqseem farma diya, Atiye ke bade bade hisse un logo ko inaayat farmaye they Jo thode din se islam laye they, Ansar ko jo nihayat Mukhliseen they Usme se kuchh bhi na diya tha, farmaya Ansar ke saath Mai'n khud hu'n, Log Maal le kar Apne Apne ghar jayenge aur Ansar Nabi ﷺ ko saath le kar Apne gharo me dakhil ho'nge, Ansar is farmaan per itne khush they k Maal Walo ko ye masarrat Haasil na thi _,"*

*📓Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)-
 ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments