RAHMATULLIL AALAMEEN (ROMAN)- PART-2

 

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
    *■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
           *🌹صلى الله على محمدﷺ🌹* 
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                                       ★ *Part-2_* ★
    ─━━━════●■●════━━━─
*❀_Yahoodiyo'n Ki Shararate, Ahad Shikni aur Hamle:-*
*"_ Lafz "Yahood" se Agarche sirf wohi ek Qabila muraad hona chahiye jo "Yahood ibne Yaqoob" ki nasal se tha, Lekin istelahan "Bani Israily" ke barah (12) Qaba'il hi ka Qaumi naam yahi pad gaya, Bani Israily Apne ibtidayi zamane me Allah ki maqbool aur Barguzida Qaum thi, Lekin Aakhir me wo Allah se is qadar door hote gaye k Allah ke gazab ke mustahiq thehre _,"*

*★_ Hazrat Maseeh Alaihissallam jese Raham Dil ne inki haalato ko dekh kar inhe Saa'np aur Saa'np ke bachche batlaya tha aur ye bhi khabar di thi k Allah ki Badshahat is Qaum se le ja kar ek doosri Qaum ko di jayegi Jo uske Achchhe Fal ( Natije) layegi _,*

*★_ Jab is Basharat ke zahoor ka waqt aa gaya aur Muhammad Rasulullah ﷺ ne Apni Behatreen taleem ki Tableeg shuru kar di to Yahood ne Sakht pech v taab khaya aur Aakhir yahi faisla kiya k Muhammad ﷺ ko bhi wese hi zulm v Sitam ka nishana banaya jaye jesa k Maseeh Alaihissallam ko bana chuke they, Yahood Agarche Hijrat ke pehle hi saal Muahida kar ke Amn v Amaan ka Paimaan baandh chuke they lekin fitri shararat ne zyada der tak chhupa rehna pasand na kiya, Muahide se dedh saal hi ke baad Sharato ka Agaaz ho gaya, Jab Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Nabi ﷺ ke saath Badar ki jaanib gaye hue they,*

*★_ Unhi dino ka zikr hai k ek Momin Aurat Banu Qainqa ke mohalle me doodh bechne gayi aur chand Yahoodiyo'n ne shararat ki aur use sare bazaar barhana kar diya, Aurat ki cheekh pukaar sun kar ek Sahabi moqe per ja pahunche, Unhone tesh me aa kar fasaad Angez Yahoodi ko qatl kar diya, is per Sab Yahoodi jama ho gaye, Un Sahabi ko bhi maar daala aur Balwa bhi kiya, Nabi ﷺ ne Badar se Waapas aa kar Yahoodiyo'n se us Balwe ke mutalliq daryaft karne ke liye bulaya, Unhone Muahide ka kaagaz bhej diya aur khud Jung per Amaada ho gaye, Ye harkat ab bagawat tak pahunch gayi thi, isliye unko ye saza di gayi k Madina chhod de'n aur Khaibar me ja Abaad Ho'n _,"*  

[12/29/2021, 5:32 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Yahood Ki Nabi ﷺ ke qatl ki Saazish_,"*
*"_ Quresh ki pehli Saazish ke unwan me likha ja chuka hai k Quresh ne Madina ke But Parasto ko Nabi ﷺ ke khilaaf Jung karne ki baabat khat likha tha, Magar Aan Hazrat ﷺ ki Daanayi se unki ye Tadbeer kaargar na hui, Ab Badar me Shikasht ke baad Quresh ne Yahood ko fir likha- Tum Jaaydaado aur Qilo ke Maalik ho, Tum Muhammad ﷺ se lado varna hum tumhare saath esa wesa karenge, tumhari Aurto'n ki Pazebe'n tak utaar lenge _,"*

*★_ is khat ke milne per Banu Nazeer ne Ahad Shikni ka aur Aan Hazrat ﷺ se Fareb ka iraada kar liya, 4 Hijri ka zikr hai k Nabi ﷺ ek Qaumi Chanda Faraham karne ke liye Banu Nazeer ke mohalle me Tashreef le gaye, Unhone Aan Hazrat ﷺ ko ek diwaar ke niche bithaya aur tadbeer ye ki k Ibne Hijaash Maloun diwaar ke Ouper ja kar ek bhaari patthar Nabi ﷺ per gira de aur Huzoor ﷺ ki zindgi ka khatma kar de _,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ko waha'n ja kar bethne ke baad Ba ilaam Rabbani is Shararat ka ilm ho gaya aur hifazate ilaahi se bach kar chale aaye, Bil Aakhir Banu Nazeer ko ye saza di gayi k Khaibar ja kar Abaad ho jaye'n, Unhone 600 Ou'nto per Samaan laada, Apne gharo ko Apne haatho se giraya, Baaje bajate hue nikle aur Khaibar ja base _,*
[12/30/2021, 4:25 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Yahood KI Teesri Saazish aur junge Ahzaab Ya Gazwa Khandak :-*
*"_ 5 Hijri ka mash'hoor waqia junge Khandak hai, Banu Nazeer khaibar pahunch kar bhi Sukoon Se Nahi bethe, unhone Ye Azm Kiya k Musalmano ka qila Fateh karne ke Liye ek muttafiq Koshish KI jaye, Jisme Arab ke tamaam qabail aur jumla mazahib ke jungju shamil ho, Unhone 20 Sardaar mamoor kiye k Arab ke Tamaam qabilo ko hamle ke Liye Amanda kare'n, is Koshish ka natija ye hua k 5 Hijri ko 10 Hazaar ka khoo'nkhar Lashkar Jisme But Parast Yahoodi vagera sabhi shamil they, Madina per Hamla Aawar hua, Qur'an Majeed me is ladayi ka Naam "Ahzaab" hai _,"*

*★_ Quresh Banu Kanana Ahle tamama zere kamaan Sufiyan bin Harb they, Banu Fuzara zere kamaan Uqba bin Husen, Bani Murrah zere kamaan Haaris bin Auf, Bani Shuja v Ahle Najad zere kamaan Masoud bin Zuhela they, Musalmano ne jab in lashkaro se muqable ki taaqat na dekhi to Shehar ke gird Khandak khod li, Das Das Aadmiyo ne 40-40 gaz Khandak tayyar ki thi_,"*
*( Tibri - 2/213)*

*★_ Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum Khandak khodte hue ye Shayr padhte they - ( Tarjuma) Hum wo hai'n Jinhone hamesha ke Liye Muhammad ﷺ ke haath per Bayt Islam ki hai _,"*
*"_ Khandak khodne Patthar todne mitti hatane me Nabi ﷺ khud bhi Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ko madad dete they, Seena Mubarak ke Baal mitti se chhup gaye they aur ibne Rawaha ke Ash'aar zel ko ba Awaaz padhte they:-*
*"_( Tarjuma) Ey ALLAH tere Siva humko hidayat thi kaha'n, Kese padhte hum Namaze, Kese dete hum Zakaat_,"*
*"_ Ey ALLAH hum per Sakina ka tu farma de nuzool, Dushman AA jaye to humko kar ata ya Rab Sabaat _,"*
*"_ Besabab hum per ye Dushman Zulm per Chad aaye hai'n, Fitnagar hai'n wo, Nahi bhaati Hume Fitne ki BAAT _,"*
*( Bukhari - 4104, 4106)*
[12/31/2021, 7:37 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sahaba sirf Teen Hazaar they, Islami lashkar Madina ke andar is tarah utra k Saamne Khandak thi aur Pashe Pusht Kohe Sala, Banu Qureza, Yahood ( Jo Madina me Abaad they aur Jinko Muahide ke mutabiq Musalmano ka Saath Dena zaroori tha) unse Shab ki Tareeki me Hayi bin Akhtab Yahoodi Sardaar Banu Nazeer ja kar mila aur Unhe Ahad Shikni per Amaada kar ke Apni taraf mila Liya, Nabi ﷺ ne Apne ka'i Naqeeb bhi unke Paas Baar Baar Samjhane ko bheje magar Unhone Saaf Saaf Keh diya, Muhammad ﷺ kon hai k hum uski baat maane, uska humse koi Ahad v paimaan nahi _,"*
*( Ibne Hisham- 2/141, Zaadul Ma'ad- 3/272)*

*★_ Iske Baad Banu Qureza ne Shehar ke Aman me bhi Khalal daalna Shuru kar diya aur Sahab ki Aurto'n aur Bachcho ko khatre me daal diya, Majburan Teen Hazaar Sahaba se bhi ek hisse ko Shehar me Aman Aama ki hifazat ke Liye Alhaida Karna pada, Banu Qureza ye Samjhe hue they k Jab Bahar se Das Hazaar Dushman ka Bada lashkar Hamla Aawar Hoga aur Shehar ke andar gadar faila kar hum Sahaba ki Aafiyat tang kar denge to Duniya per Musalmano ka naamo nishan bhi baqi na rahega _,"*

*★_ Nabi ﷺ ko chu'nki Tab'an Jung se nafrat thi, isliye Aapne ye bhi Sahaba se Mashwara kiya k Hamla Aawar Sardaraan Gatfaan se ek tihayi paidawar Simar (Meva) per suleh kar li jaye, Lekin Ansar ne Jung ko tarjeeh di, Sa'ad bin Ma'az aur Sa'ad bin Ubada Raziyallahu Anhum ne is Tajveej ke mutalliq taqreer karte hue kaha k Jin Dino ye Hamla Aawar Qaba'il Shirk ki najasat me alood aur But Parasti me mubtila they, Un Dino bhi hunme unko ek Chhuwara tak nahi diya, Aaj jabki Allah ne Hume Islam se Musharraf farma diya hai to hum Unhe Kyu kar paidawar ka tihayi hissa de sakte hai'n, Unke Liye Hamare Paas to Talwaar ke Siva aur kuchh Nahi hai _,"*
*( Tibri v Seerat ibne Hisham- 2/141, Zaadul Ma'ad-3/273)*

*★_ Hamla Aawar fauj ka Muhasra Bees din tak Raha, kabhi kabhi ikka dukka ka muqabla bhi hua, Amru bin Abdood Jo Apne Aapko Hazaar Jawano ke barabar samjha karta tha Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke haatho maara gaya aur Nofal bin Abdullah bin Mugira bhi muqable me halaak hua, Ahle Makka ne Nofal ki laash Lene ke Liye Das Hazaar Dirham pesh kiye, Nabi ﷺ ne farmaya- Laash de do, qeemat darkaar nahi _,"*

*★_ Jab Dushman is Arse me Mehsoor Musalmano se koi morcha na Le sake to Unke Hausle toot gaye, Aakhir ek Raat Tamaam Lashkar Apne Apne Dere Dande utha kar rafu chakkar ho gaya _,"*
[1/1, 6:36 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Banu Qureza ka Anjaam _,"*
*"_ is musibat se rihayi ke Baad Nabi Kareem ﷺ ne Banu Qureza ko Bula Bheja k Wo Saamne AA kar Apne Tarze Amal ki vajah bayan kare'n, Ab Banu Qureza Qila band ho gaye aur Ladayi ki poori tayyari kar li, Us Waqt Sahaba ko ye maloom hua k Banu Nazeer ka Sardaar Hayi bin Akhtab Jo Banu Qureza ko Musalmano ka mukhalif banane aaya tha, Ab tak Unke qile ke andar mojood hai _,"*

*★_ Banu Qureza ka ye Gadar Unki pehli harkat hi na thi balki Junge Badar me Unhone Quresh ko ( Jo Sahaba per Hamla Aawar hue they) hathiyaro se madad di thi, Magar Us Waqt Rehmatul Aalameen Nabi ﷺ ne unka ye qusoor maaf kar diya tha, Ab Unke Qila band ho Jane se Sahaba ko Majburan ladna pada, Maah Zilhijja Muhasra Kiya gaya Jo 25 Din tak raha, Muhasre ki sakhti se Banu Qureza tang AA gaye, Unhone Qabila Aus ke Musalmano ko jinse unka pehle se rabt v zabt tha, beech me daala aur Nabi ﷺ se manwa Liya k maamle me Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu ko ( Jo Qabila Aus ke Sardaar they) Hakam ( munsif )tasleem Kiya jaye Jo Faisla Sa'ad bin Ma'az kar de'n Allah ke Nabi ﷺ usi ko manzoor kar le'n _,"*

*★_ Banu Qureza qile se Nikal aaye aur muqadma Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu ke supurd Kiya gaya, Allah Jane Banu Qureza ke Yahoodiyo aur Qabila Aus ke Musalmano ne Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu ko Hakam banate hue Kya Kya Ummeede Un per lagayi ho'ngi, Magar Zaroori tehqiqaat ke Baad us Jungju Mard ne ye Faisla diya k Banu Qureza ke Jung Aawar Mard qatl kiye jaye'n, Aurte'n aur Bachche mamlook banaye jaye'n, Maal taqseem Kiya jaye _,"*

*★_ Is Faisle ki takmeel ke mutalliq Sahi Bukhari me Jo Rivayat Abu Saied khudri Raziyallahu Anhu se hai, Usse ye to maloom hota hai k Jung Aawar Mard qatl kiye gaye they, Lekin is Hadees ke mutalliq Qara'ien ye bhi Yaad rakhe k Yahoodiyo ko Unke Apne muntakhab karda Munsif ne qariban wahi Saza di thi Jo Yahood Apne Dushmano ko diya karte they aur Jo Unki Shari'at me hai, Agar Banu Qureza Apna maamla Nabi Kareem ﷺ ke supurd kar dete to unko zyada se zyada jo Saza di jati Wo ye hoti k Jaao Khaibar me Abaad ho Jaao, Banu Qainqa aur Banu Nazeer ka maamla iski Nazeer hai, Nabi ﷺ ne Un Banu Qureza se bhi baaz ko Raham Shahana se us Faisle se mustasna farma diya tha, maslan Zuber Yahoodi ke Liye ma Ahlo Ayaal v farzand v Maal rihayi ka hukm de diya tha aur Faa bin Shamu'il Yahoodi ki bhi jaan bakhshi farma di thi _,"*
*( Tareekh Tibri -2/230)*
[1/2, 6:38 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Iysa'iyo se Jung- Jung E Mauta (Ba Maah Jamadil Awwal 8 Hijri)*

*"_ Iysaa'i Aqwaam ka Nabi ﷺ se bartaav achcha raha, Ek Do Haakimane Mulk ne Shakhshi Tor per Aan Hazrat ﷺ se Dushmani ki, Lekin Jamhoor ka isse talluq na tha, Tafseel se iski tozih hoti hai k Aqal Hairan hoti hai k Sirf Ek Iysaa'i Sardaar ke Saath ek Jung hui aur Ek Safraan ke Hamla Aawar hone ki Khabar ud Jane per ki gayi hai aur bas _,*

*★_ Mauta Shaam ke ek qasbe ka Naam hai, Yaha'n ke Sardaar Sharjeel bin Amru Gassani ne Nabi ﷺ ke Safeer Haaris bin Umair Raziyallahu Anhu Azdi ko Jo Dawate Islam ka khat Le kar rawana hua tha, qatl Kara diya tha, Mazloom Haaris Raziyallahu Anhu ke qatl se Safeero ki jaane khatre me pad gayi thi, Isliye Nabi ﷺ ne qariban Teen Hazaar ki ek fauj rawana ki, Haakim Gassan ne Apni Kaarwahi per nadamat ka izhaar na Kiya aur Wo to Muqable per tayyar ho gaya_,"*

*★_ Ittefaq se Hirakkal Baadshah Us ilaaqe me aaya hua tha aur Mu'aab me ek laakh lashkar ki jami'at se thehra hua tha, Arab ke Sehra Nasheen Iysaa'i Qaba'il bhi Taqriban ek laakh Aadmi Shehanshah Hirakkal ki Aamad per waha'n Jama they, Isliye Haakim Gassan ne kuchh Shahi Fauj bhi mangwa li aur Qaba'il ko bhi Jama kar Liya, Garz Dushmano ki tadaad ek laakh tak pahunch gayi _,"*

*★_ Musalman Majburan lade, Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu Jo Nabi ﷺ ke parwarda ( paale hue) nihayat Azeez aur Us Fauj ke Commander they, maare gaye, Jaafar Tayyar Raziyallahu Anhu Jo Nabi ﷺ ke Chachere Bhai aur Ali Murtaza ke Haqeeqi bade Bhai they ( Umr 33 Saal) 90 Zakhm Saamne ki taraf kha kar aur Abdullah bin Rawaha Raziyallahu Anhu Jinhone Jaafar Raziyallahu Anhu ke baad Fauj ki kamaan Sambhali thi, Shaheed ho gaye, Fir Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ne Fauj ko Sambhala aur dedh din ki sakht Jung ke baad Apne se 40 guna zyada Fauj ko bhaag jane per majboor kar diya, is Jung me 9 Talwaare Hazrat Khalid Raziyallahu Anhu ke haatho tooti thi _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Madina me bethe hue un buzurgo ke maare Jane aur Jung ke Aakhri Anjaam ka Haal Sahaba Raziyallahu Anhum se usi Roz bayan farma diya tha, isi Jung ke baad Khalid Raziyallahu Anhu ko "Saifullah" ka khitaab ata hua tha_,"*
[1/3, 3:49 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jaish E Ishrat Ya Safare Tabook ( Rajjab 9 Hijri)_,*
*"_ Chu'nki koi Jung nahi hui Isliye maine iska Naam Safare Tabook rakha hai, Morkheen ne ise Gazwa Tabook isliye likhte hai'n k Ye Safar Ba Garz Fauji tha _,"*

*★_ Ek Qafila Shaam se aaya aur Unhone zaahir Kiya k Qaisar ki Fauje Madina per Hamla Aawar hone ke Liye Tayyar aur Faraham ho rahi hai'n, Arab ke Iysaa'i Qaba'il Lakham, Juzaam, Amla, Gassan vagera Unke Saath shamil hai'n, Goya Wo us Shikasht ka badla Lena chahte they Jo Mauta ke Muqaam per Qaisar ke Haakim aur Qaisar ki Fauj ko hui thi, Nabi ﷺ ne khayal farmaya k Hamla Aawar fauj ki muda'fat Arab ki Sar zameen me dakhil hone se pehle pehle munasib hai, Taki Androon Mulk ke Aman me Khalal paida na ho_,"*

*★_ Ye muqabla esi Saltnat se tha Jo Nisf Duniya per Hukmraan thi aur Jiski Fauj Abhi Haal hi me Saltnat Iraan ko nicha dikha Chuki thi, Musalman be Saro Samaan they, Safar door daraaz ka tha aur Arab ki mash'hoor Garmi khoob Zoro per thi, Madina ke meve pak chuke they, meve khane aur Saaye me bethne ke din they, Nabi ﷺ ne Samaan ki Tayyari ke Liye Aam chande ki fehrist kholi _,"*

*★_ Usman Gani Raziyallahu Anhu ne 900 ou'nt, 100 ghode aur Ek Hazaar dinaar chande me diye, Abdur Rahman bin Auf Raziyallahu Anhu ne 40 Hazaar Dirham, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne Tamaam Samaan naqad v Jins ka Nisf Jo Kai Hazaar Rupya tha Pesh Kiya, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Jo kuchh late agarche Wo qeemat me kam tha Magar maloom hua k Ghar me Allah aur Rasool ﷺ ki muhabbat ke Siva aur kuchh bhi baqi na chhod kar aaye they _,"*

*★_ Abu Aqeel Ansari Raziyallahu Anhu ne Do Sair Chhuware la kar Pesh kiye aur ye bhi arz Kiya k Raat Bhar Pani nikaal nikaal kar ek Khait ko Sairaab kar ke chaar Sair Chhuware mazdoori laya tha, Do Sair Bivi Bachche ke Liye chhod kar baqi do Sair Le aaya hu'n, Nabi Kareem ﷺ ne farmaya k in Chhuwaro ko jumla qeemti Maal v Mataa ke ouper bikher do _,"*
[1/4, 8:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Garz har ek Sahabi ne is moqe per ese hi khuloos v Farakhdili se kaam Liya, Qariban 82 Shakhsh Jo dikhawe ke Musalman they, bahana bana kar Apne gharo me reh gaye, Abdullah bin Abi Salool Mash'hoor munafiq ne in logo ko itminaan dila diya tha k Ab Muhammad ﷺ aur Unke Saathi Madina waapas nahi aa sakenge, Qaisar Unhe qaid kar ke Mukhalif Mumalik me bhej dega_,"*

*★_ Allah ke Nabi ﷺ Tees Hazaar ki jami'at se Tabook ko rawana hue, Madina per Muhammad bin Muslima Raziyallahu Anhu ko Khalifa banaya aur Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ko Madina me Ahle Bayt ki Zaruriyaat ke Liye mamoor farmaya, Lashkar me Sawariyo ki badi qillat thi, 18 Shakhsho ke Liye ek ou'nt muqarrar tha, Rasad ke na hone se aksar jagah darakhto ke patte khane pade, Jisse ho'nt sooj gaye they, Pani baaz jagah mila hi Nahi, ou'nto ko ( Agarche Sawari ke Liye pehle hi kam they) Zibah kar ke Unki Ama ka Pani piya karte they, Algarz Sabr v istaqlaal se Tamaam Takaleef ko bardasht karte hue Tabook pahunch gaye_,"*

*★_ Abhi Tabook ke Raaste hi me they k Ali Murtaza Raziyallahu Anhu bhi pahunch gaye, Maloom hua k Munafiqeen Baad me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Chidhane aur Khujane lage they, koi kehta k Nikamma Keh kar chhod diya, Koi kehta Taras kha kar chhod diya, in baato se Allah ke Sher Ali Raziyallahu Anhu ko gairat aayi, Do manzila Teen Manzila Tay karte hue Nabi ﷺ ki khidmat me pahunch gaye, Lambe Lambe Safar aur Sakht Garmi ki Takleef se Paa'nv Matroom they aur chhale pad gaye they, Nabi ﷺ ne farmaya - Ali ! Tum is per Khush nahi Hote k Tum mere Liye wese ho jesa k Moosa Alaihissalam ke Liye Haroon Alaihissalam they, go mere Baad koi nahi hai _,"*
*"_Ye Sun kar Ali Murtaza Raziyallahu Anhu Khush v Khurram Madina ko waapas Tashreef Le gaye _,"*

*★_ Tabook pahunch kar Nabi ﷺ ne ek Maah qayaam farmaya, Ahle Shaam per is dilerana harkat ka asar ye hua k Unhone Arab per Hamla Aawar hone ka khayal us Waqt chhod diya aur is Hamla Aawari ka behatreen moqa Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke Baad ka zamana muqarrar qarar diya_,"*
[1/5, 6:47 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ Ka Khutba _,"*
*"_ Tabook me Ek Namaz ke baad Aan Hazrat ﷺ ne ek Mukhtsar aur Nihayat jaame Waaz farmaya tha jiska Tarjuma (Mafhoom) Pesh Kiya jata hai:-*
*"_ Allah Ta'ala ki behatreen Hamd v Sana ke baad:- Har ek Kalaam se badh kar Sachchayi me Allah ki kitaab hai, Sabse badh kar bharose ki baat Taqwa ka kalma hai, Sab millato se Behtar millat e Ibrahim Alaihissalam ki hai, Sab Tareeqo se Behtar Tareeqa Muhammad ﷺ Ka hai, Sab baato per Allah ke zikr ko Fazilat hai, Sab Bayanaat se Pakiza Tareen Quran hai, Behatreen kaam Buland Hausle ka kaam hai, Umoor me badtareen Umoor Wo hai Jo Naya nikala gaya ho, Ambiya ki Raah Sab Raaho se khoobtar hai, Shaheedo ki Maut Maut ki Sab qismo se Buzurgtar hai_,"*

*★_ Sabse bad kar Andhapan gumrahi hai Jo Hidayat ke Baad ho jaye, Amalo me Wo Amal achcha hai Jo Nafa dene Wala ho, Behatreen Raasta Wo hai jis per log chale, Badtareen Andhapan Dil ka Andhapan hai, Buland Haath Past Haath se Behtar hai, Thoda aur Kaafi Maal us Nihayat se Achcha hai Jo gaflat me daal de, Badtareen ma'azrat ( Tauba ) Wo hai Jo Jaan nikalne ke Waqt ki jaye, Badtareen nadamat Wo hai Jo qayamat ko Hogi, baaz log Juma ko aate hai'n Magar Dil peeche lage Hote hai'n, Unme se baaz Wo hai'n Jo Allah ka zikr kabhi kabhi Kiya karte hai'n, Sab gunaho se Azeemtar jhooti zubaan hai, Sabse badi Tawangari Dil ki Tawangari hai, Sabse Umda tosha Taqwa hai, Danaa'i ka Sirya hai Allah ka khof Dil me ho, Dil Nasheen hone ke Liye behatreen cheeze Yaqeen hai, Shak paida Karna Kufr ( ki shaakh ) hai, Been se Rona ( Maatam) Jahalat ka kaam hai _,"*

*★_ Chori Karna Azaab e Jahannam ka Samaan hai, Bad Mast hona Aag me padna hai, Shayr iblees ka hissa hai, Sharab Tamaam gunaho ka Majmua hai, Badtareen Rozi Yateem ka Maal Khana hai, Sa'adat mand Wo hai Jo Doosre se Nasihat pakadta hai, Asal Badbakht Wo hai Jo Maa'n ke pet me hi Badbakht ho, Amal ka Sarmaya uske behatreen Anjaam per hai, Badtareen khwab Wo hai Jo jhoota hai, Jo baat hone wali hai Wo qareeb hai, Momin ko gaali dena fisq hai, Momin ko qatl Karna Kufr hai, Momin ka gosht Khana ( uski geebat Karna ) Allah ki Ma'asiyat ( Nafarmani ) hai,*

*★_ Momin ka Maal Doosre per ese hi Haraam hai jese uska khoon, Jo Allah se istagna ( Be Parwahi) karta hai Allah use jhutlata hai, Jo Kisi ka Ayb chhupata hai Allah Uske Aibo ko chhupata hai, Jo maafi deta hai use maafi di jati hai, Jo Gusse ki pi jata hai Allah use Ajr deta hai, Jo nuqsaan per Sabr karta hai Allah use Ajr deta hai, Jo chugli ko failata hai Allah uski Ruswayi Aam kar deta hai, Jo Sabr karta hai Allah use badhata hai, Jo Allah ki Nafarmani karta hai Allah use Azaab deta hai, Fir Teen dafa istagfaar padh kar Aan Hazrat ﷺ ne is khutbe ko khatm farmaya _,"*
*( Bayhiqi Fi Dalaa'il- 5/242)*
[1/6, 5:04 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Zulbujadeen Raziyallahu Anhu ki wafaat :-*
*"_ Tabook ke qayaam ke dauran Zulbujadeen Raziyallahu Anhu ka inteqal hua, is mukhlis ke zikr se waaze hota hai k Nabi ﷺ Muflis v Mukhlis Sahaba Raziyallahu Anhum per kis qadar lutf v inayat farmaya karte they, Inka Naam Abdullah tha, Abhi Bachche they k Baap mar gaya, Chacha ne parwarish ki thi, Jab Jawan hue to Chacha ne ou'nto Bakriya gulam de kar Unki haisiyat durust kar di, Abdullah Raziyallahu Anhu ne Islam ke mutalliq Suna aur Dil me toheed ka zoq paida hua, Lekin Chacha se is qadar dar tha k izhaar e Islam na kar sake _,"*

*★"_ Jab Nabi ﷺ Fateh Makka se waapas aa gaye, To Abdullah ne Chacha se ja kar kaha :- Pyare Chacha ! Mujhe barso intezar karte guzar gaye k kab Aapke Dil me islam ki tehreek paida hoti hai aur Aap kab Musalman Hote hai'n Lekin Aapka Haal wahi pehle ka sa Chala aata hai, Mai'n Apni Umr per zyada aitmaad nahi kar sakta, mujhe ijazat farmaye k Mai'n Musalman ho jau'n _,"*
*"_ Chacha ne jawab diya :- Dekho ! Agar Tum Muhammad ﷺ Ka Deen qubool Karna chahte ho to Mai'n Sab kuchh tumse chheen lunga, Tere Badan per chaadar aur Tehband tak baqi na rehne dunga _,"*

*★_ Abdullah ne jawab diya:- Chacha Sahab ! Mai'n Musalman zaroor banunga aur Muhammad ﷺ ki itteba hi qubool karunga, Shirk aur But Parasti se Mai'n bezaar ho Chuka hu'n, Ab Jo Aapki mansha hai Kijiye aur Jo kuchh mere qabze me Zar v Maal vagera hai, Sab Sambhal lijiye, Mai'n Jaanta hu'n k in Sab cheezo ko Aakhir ek Roz yahi'n Duniya me chhod Jana hai, Isliye Mai'n inke Liye sachche Deen ko tark nahi kar sakta_,"*

*★_ Abdullah Raziyallahu Anhu ne ye Keh kar Badan ke kapde tak utaar diye aur Maadarzaad barhana ho kar Maa'n ke saamne gaye, Maa'n Dekh kar Hairan hui k Kya hua ? Abdullah Raziyallahu Anhu ne kaha - Mai'n Momin aur Mohid ho gaya hu'n, Nabi ﷺ ki khidmat me Jana Chahta hu'n, Satar Poshi ke Liye kapde ki Zarurat hai, Meharbani farma dijiye, Maa'n ne ek Kambal de diya, Abdullah Raziyallahu Anhu ne Kambal faada, Aadhe ka Tehband bana Liya aur Aadha ouper Le Liya aur Madina ko rawana ho gaye_,"*
[1/7, 7:55 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Masjide Nabvi ﷺ me pahunch gaye aur Masjid se Takiya Laga kar muntizarana beth gaye, Nabi ﷺ jab Masjid Mubarak me aaye to inhe Dekh kar puchha k Kon ho ? Kaha k Mera Naam Abdul Uzza hai, Faqeer v Musafir hu'n, Aashiqe Jamaal aur Taalibe Hidayat ho kar Yaha'n aa pahuncha hu'n_,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya Tumhara Naam Abdullah hai aur Zulbujadeen laqab hai, Tum Hamare qareeb hi thehro aur Masjid me Raha karo _,"*

*★_ Abdullah Raziyallahu Anhu Ashabe Suffa me Shamil ho gaye, Suffa chabootre ko kehte hai'n, Masjide Nabvi ke Sahan me Ek Chabootra tha, Jo log Ghar Baar chhod kar Duniya ka Zar v Maal Ashaa'ish v Araam chhod kar Taleeme Deen v Islam ke Liye aaya karte they, Wo is Chabootre per thehra karte they, Isliye Ahle Suffa ke Naam se mash'hoor they, Ye Aashiqane Sadaqat Bhool pyaas ki musibat aur Garmi Sardi ki takaleef bardasht karte Magar Duniya ki koi Takleef Islam ki taleem aur Quran Majeed ka Dars Lene se inki rok na ban sakti thi, Inhi me se Wo log Tayyar hue they Jo mukhalif Mulko me Ja kar isha'at Islam karte they, Inhi me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu hai'n Jo 5374 Ahadees ke Raavi aur Islam ke muballig hai'n _,"*

*★_ Abdullah Raziyallahu Anhu Nabi ﷺ se Quran seekhte aur Din Bhar Ajab Zoq v Shoq aur Josh v Nishaat se padha karte they, Ek dafa Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne kaha k Log Namaz padh rahe hai'n Aur ye Aaraabi is qadar Buland Awaaz se padh Raha hai k doosro ki qira'at me mazahmat hoti hai, Nabi ﷺ ne farmaya- Umar ! Use kuchh na Kaho, Ye to Allah aur Rasool ﷺ ke Liye Sab kuchh chhod kar aaya hai _,"*
[1/8, 5:58 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abdullah Raziyallahu Anhu ke Saamne Gazwa Tabook ki Tayyari hone lagi to ye bhi Rasulullah ﷺ ki khidmat me aaye, Arz Kiya- Ya Rasulallah ﷺ Dua Farmaiye k Mai'n bhi Raahe Haq me Shaheed ho jau'n_,"*.
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya- Jao Kisi Darakht ka chhilka utaar lao, Jab Abdullah Raziyallahu Anhu chhilka utaar laye to Nabi ﷺ ne Wo chhilka Unke baazu per baandh diya aur Zuban Mubarak se farmaya- ilaahi Mai'n Kuffar per iska khoon Haraam karta hu'n, Abdullah Raziyallahu Anhu ne kaha- Ya Rasulallah ﷺ Mai'n to Shahadat ka Taalib hu'n, Nabi ﷺ ne farmaya- Jab Gazwe ki niyat se Tum niklo aur Fir Tap AA jaye aur mar Jao tab bhi Tum Shaheed hi ho gaye _,"*
*"_ Tabook pahunch kar yahi hua k Tap chadhi aur Aalame Baqa ko sidhaar gaye, Hilaal bin Haaris Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Maine Abdullah Raziyallahu Anhu ke Dafan ki kaifiyat dekhi hai _,"*

*★_ Raat ka Waqt tha, Bilaal Raziyallahu Anhu ke Haath me Charaag tha, Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Umar Raziyallahu Anhu Unki Laash ko Lahad me Rakh rahe they, Nabi ﷺ bhi us qabr me utre they aur Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Umar Raziyallahu Anhu se farma rahe they- Apne Bhai ka Adab malhooz rakho _,"*
*"_ Aan Hazrat ﷺ ne qabr per iynte bhi Apne Haath se rakhi aur Fir Dua me farmaya - ilaahi ! Aaj Ki Shaam tak Mai'n isse khushnood raha hu'n, Tu bhi isse Raazi ho ja _,"*

*★_ ibne Mas'oud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Kaash is Qabr me Mai'n dabaya jaata _,"*
[1/9, 6:16 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ Alal khayr Madina pahunch gaye, Jo Munafiqeen ye Samajh rahe they k Ab Muhammad ﷺ aur Unke Dost qaid ho kar door dast Jazeera me bheje jayenge aur Sahi v Saalim Madina na pajunchenge, Wo Ab pasheman hue aur Unhone Saath na Chalne ke jooth mooth ujjar banaye, Nabi ﷺ ne sabko maafi de di, Lekin teen Mukhlis Sahabi bhi they Jo Apni mamooli Susti v Kahili ki vajah se reh gaye they, Unko Apni Sadaqat ki vajah se ek imtihan bhi dena pada _,"*

*★_ Unme se ek Buzurg Sahabi ne Apne mutalliq Jo kuchh Apni zuban se bayan Kiya hai Mai'n Usko isi jagah likh dena Zaroori Samajhta hu'n, Ye buzurgwar Ka'ab bin Maalik Ansari Raziyallahu Anhu hai'n Aur Un 73 Sabiqeen me se hai'n Jo Uqba ki Bayt e Saniya me haazir hue they aur Shu'ra khaas me se they _,"*

*★_ Ka'ab Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Safar me Mera Ghar per reh Jana ibtila mahaz tha, Esa karne ka mere iraada na tha aur na hi koi uzr tha, Safar ka jumla Samaan murattab tha, Umda ountniya'n mere Paas mojood thi, Meri Maali haalat bhi Achchhi thi k pehle kabhi na hui thi, is Safar ke Liye Maine Do mazboot Ou'nt bhi khareed Liye they, halanki isse beshtar mere Paas do ou'nt kabhi na hue they, Log Safar ki Tayyari karte they aur mujhe Zara tarddud na tha _,"*

*★_ Maine Soch rakha tha k jis Roz kooch Hoga, Mai'n chal padunga, Lashkare Islam jis Roz rawana hua mujhe kuchh Thoda sa kaam tha, Maine kaha khayr Mai'n Kal ja milunga, Wo Teen Roz isi tarah Susti aur Tazabzub me guzar gaye, Ab Lashkar itni door Nikal gaya tha k Usse milna mushkil ho gaya tha, Mujhe Nihayat Sadma tha k ye Kya hua ?*
[1/10, 8:30 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mai'n Ghar se nikla, mujhe Un Munafiqeen ke Siva Jo jhoot moot uzr karne ke aadi they aur koi bhi Raaste me na mila, ye Dekh kar mere tan Badan ko ranj v gam ki Aag lag gayi, Ye Din mere isi tarah guzar gaye k Nabi ﷺ bhi Tashreef Le aaye, Ab Mai'n hairaan tha k Kya karu aur Kya kahu'n aur Kyu kar Allah ke Rasool ﷺ ke itaab se bachaav karu'n, Logo ne mujhe baaz heele bahne batlaye Magar Maine yahi Faisla Kiya k Nijaat sach hi se mil sakti hai _,"*

*★_ Aakhir me Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua, Nabi ﷺ ne mujhe dekha aur Tabssum farmaya, Tabssum Khashm Aamez ( Naraazgi Wala ) tha, mere to Hosh usi Waqt Jaate rahe, Nabi ﷺ ne puchha - Ka'ab ! Tum Kyu reh gaye they, Kya tumhare Paas Samaan muhayya na tha _,"*
*"_ Maine arz Kiya- Ya Rasulallah ﷺ ! Mere Paas to Sab kuchh tha, mere Nafs ne mujhe gaafil Banaya, Kaahili ne mujh per galba kiya, Shaitan ne mujh per Hamla Kiya aur Mujhe Hirmaan v Khuzlan ki gardab me daal diya_,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Tum Apne Ghar thehro aur Hukme ilaahi ka intezar karo _,"*

*★_ Baaz logo ne kaha - Dekho ! Agar Tum bhi koi Heela bana lete to Esa na hota_," Maine kaha - Wahi ilaahi se Mera jhoot khul Jaata aur Fir Mai'n kahi'n ka bhi na rehta, Maamla Kisi Duniyadaar se nahi balki Allah ke Rasool ﷺ ke Saath hai _,"*
*"_Logo ne kaha - Haa'n ! Hilaal bin Umayya Raziyallahu Anhu aur Murarah bin Rabi'a Raziyallahu Anhu ki bhi yahi haalat hai, Ye sun kar mujhe Zara tasalli hui k Do Mard Saaleh aur bhi Meri haalat me hai'n _,"*

*★_ Fir Rasulallah ﷺ ne hukm diya k koi Musalman Hamare Saath baat cheet na kare aur na Hamare Paas AA kar bethe, Ab Zindgi aur Duniya Hamare Liye Vabaal maloom hone lagi, Un Dino me Hilaal Raziyallahu Anhu aur Murarah Raziyallahu Anhu to Ghar se Baahar na nikle Kyuki Wo Budhe they Lekin Mai'n Jawan aur Diler tha, Ghar se nikalta, Masjide Nabvi ﷺ me Jaata, Namaz padh kar Masjid Mubarak ke ek Goshe me beth Jaata, Nabi ﷺ muhabbat Bhari nigaah aur gosha chashm se mujhe dekha karte, Meri Shikstgi ko mulahiza farmaya karte aur Jab Mai'n Huzoor Nabi ﷺ ki jaanib Aankh uthata to Huzoor Nabi ﷺ airaaz farmate _,"*
[1/10, 9:54 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Musalmano Ka ye Haal tha k na koi mujhde baat karta aur na koi mere Salam ka jawab Deta, Ek Roz Mai'n Nihayat ranj v Alam me Madina se Bahar nikla, Abu Qatada Raziyallahu Anhu Mera Chachera Bhai tha aur Hum dono me Nihayat muhabbat thi, Saamne Uska baag tha, Wo Baag me kuchh imaarat banwa raha tha, Mai'n Uske Paas Chala gaya, use Salam Kiya to usne jawab tak na diya aur moonh fair kar khada ho gaya_,"*

*★_ Maine kaha - Abu Qatada Raziyallahu Anhu Tum khoob jaante ho k Mai'n Allah aur Rasool ﷺ se muhabbat rakhta hu'n aur Nifaaq v Shirk ka mere Dil per Asar nahi, Fir Tum Kyu mujhse Baat nahi karte, Abu Qatada Raziyallahu Anhu ne Ab bhi jawab na diya, Jab Maine Teen Baar isi baat ko dohraya to Chachere Bhai ne Sirf is qadar jawab diya k "Wo Allah aur Rasool ﷺ hi ko khoob maloom hai _," Mujhe bahut riqqat hui aur Mai'n khoob hi Roya _,"*

*★_ Mai'n Shehar se lot kar aaya to mujhe ek Iysaa'i mila, Ye Madina me Mujhe talash kar raha tha, logo ne batla diya k Wo yahi Shakhsh hai, Uske Paas Baadshah Gassan ka ek khat mere Naam tha, Khat me likha tha :-*
*"_ Humne Suna hai k Tumhara Aaqa tumse Naraaz ho gaya hai, Tumko Apne Saamne se nikaal diya hai aur Baqi Sab log bhi Tum per Joro Jafa kar rahe hai'n, Humko tumhare Darja v Manzilat ka Haal ba khoobi maloom hai aur Tum ese nahi ho k koi tumse Zara bhi be iltfaati kare ya Tumhari izzat ke khilaf tumse Sulook Kiya jaye, Ab Tum ye khat padhte hi mere Paas chale aao aur AA kar Dekho k Mai'n Tumhara Aizaaz v ikraam Kya kuchh kar Sakta hu'n _,"*

*★_ Khat padhte hi Maine kaha k Ye ek aur Musibat mujh per AA padi, isse bad kar musibat aur Kya Ho sakti hai k Aaj ek Iysaa'i mujh per aur mere Deen per qaabu paane ki Aarzu karne Laga hai aur Mujhe Kufr ki Dawat deta hai, is khayal se Mera Ranj v Gam aur bad gaya, Khat ko qaasid ke saamne hi Maine Aag me daal diya aur Keh diya- Jaao Keh do k Aapki inayaat v iltfaat se mujhe Apne Aaqa ki be iltfaati laakh darja behtar hai v Khush Tar hai _,*
[1/11, 7:43 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mai'n Ghar Pahuncha to dekha k Nabi ﷺ ki taraf se ek Shakhsh aaya hua mojood hai, Usne kaha- Nabi ﷺ ne hukm diya hai k Tum Apni Bivi se Alahda raho, Maine puchha Kya Talaaq ka hukm diya hai ? Kaha - nahi Sirf Alhaida rehne ko farmaya hai, Ye Sun kar Maine Apni Bivi ko Uske Mayke bhej diya, Mujhe maloom hua k Hilaal Raziyallahu Anhu aur Murarah Raziyallahu Anhu ke Paas bhi yahi hukm Pahuncha tha _,"*

*★_ Hilaal Raziyallahu Anhu ki Bivi Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hui aur Arz Kiya - Ya Rasulallah ﷺ Hilaal kamzor aur Zaief hai aur Uski Khidmat ke Liye koi khadim bhi nah, Agar ijazat ho to Mai'n Unki khidmat Karti rahu'n, Farmaya- Uske Bistar se door raho, Aurat ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ Hilaal Raziyallahu Anhu ka Gam v Ranj se Esa Haal hai k use to aur koi khayal nahi raha _,"*

*★_ Ab mujhe logo ne kaha k Tum bhi itni ijazat Le lo k Tumhari Bivi Tumhara kaam kaaj kar diya kare, Maine kaha - Mai'n to esi jurrat nahi karunga, Kya Khabar Huzoor ﷺ ijazat de'n ya na de'n aur Mai'n to Jawan hu'n, Apna Kaam khud kar sakta hu'n, Mujhe Khidmat ki Zarurat nahi, Algarz isi tarah Musibat ke 50 din guzar gaye _,"*

*★_ Ek Raat Mai'n Apni chhat per leta hua tha aur Apni Musibat per Sakht nalaa'n tha k Kohe Sala per Chadh kar Jo mere Ghar ke qareeb tha Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Awaaz di, Ka'ab Raziyallahu Anhu ko Mubarak ho k uski Tauba qubool ho gayi _,"*
*"_ Ye Awaaz sunte hi mere Dost Ahbaab daud pade aur kehne lage k Mukhlis ki Tauba qubool hui, Maine ye Sunte hi Peshani ko khaak per rakh diya aur Sajda Shukrana ada Kiya aur Fir dauda dauda Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua, Nabi ﷺ Muhajireen v Ansar me Tashreef farma they, Mujhe Dekh kar Muhajireen ne Mubarak Baad di aur Ansar khamosh rahe, Maine Aage badh kar Salam Arz Kiya, Us Waqt Aap ﷺ Ka chehra Mubarak Khushi v Masarrat se Chodhvi ke chaand ki Tarah Taaba'n v Darakhsha'n ho raha tha aur Aadat Mubarak thi k Khushi me chehra Mubarak aur bhi zyada Roshan ho jata tha _,"*

*★_ Mujhe farmaya- Ka'ab Mubarak ! Is behatreen din ke Liye, Jabse Tu Maa'n ke pet se paida hua koi Din Esa Mubarak tujh per Aaj tak nahi gizra aur Tumhari Tauba ko Rabbul Aalameen ne qubool farma Liya hai _,"*
*"_ Maine arz Kiya- Ya Rasulallah ﷺ ! Is qubuliyat ke Shukrane me Mai'n Apna kul Maal Raahe Haq me Sadqa Deta hu'n, Nabi ﷺ ne farmaya- Nahi, Maine Arz Kiya- Nisf ( Aadha), farmaya- nahi , Maine arz Kiya - Sals ( Ek tihayi ), Farmaya - Haa'n Sals khoob hai aur Sals bhi bahut hai _,"*
[1/12, 1:51 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ La Saani Fayyazi v Raham Dili_,"*
*"_ Alhamdulillah ! Us Fitne v Shar Jo Dushmano ne barso se utha rakha tha aur jisne Arab ke Tamaam Qaba'il ko bagawat ki Zehar Aalod Hawa se Aalooda kar rakha tha, Khaatma ho gaya, in Sab Ladaiyo'n ke dauran me Rehmatul Aalameen ki be-nazeer Fayyazi aur La Saani Raham Dili ka zahoor is kasrat se hua k Duniya me Jung ke Shuja'ana aur Mazhabi Usool yahi'n se maloom kiye _,"*

*★_ Ye Wo na guzer Ladaiya'n thi'n jinme Allah ke Barguzida Nabi ﷺ aur Musalman izraran Taqriban Saat Saal ke darmiyani Arsa me Shareek Hote rahe, Qara'ien Kisi Jung me nahi dekhenge k Musalmano ne ibtida ki ho, Ye Tamaam Junge Sirf Hamla Aawaro ko rokne aur Unke Shar se bachne ke Liye ki gayi thi'n, Nabuwat ke Tamaam Zamane me Ek Shakhsh bhi isliye qatl na hua k Wo But Parast ya Paarsi ya Iysaa'i ya Yahoodi tha _,"*

*★_ Quran Majeed me is Matlab ko Allah Ta'ala me Ba Khoobi waaze farma diya tha k Duniya me Mazhab v Aitqaad ka ikhtilaaf Hamesha Raha hai aur Hamesha rahega, Isliye Mazhab ke Liye Kisi Shakhsh per Jabardaati Karna Jaa'iz nahi, Mindarja Zel Aayaat is Matlab ke Liye Saaf hai'n :-*

*(1)"_ Deen ke bare me Kisi per Jabardaati nahi, Hidayat aur gumrahi Achchhi Tarah Zaahir ho gayi hai_," ( Al Baqra-256)*
*(2)"_ Agar Tera Parwardigaar Chahta to zameen per Sab Bashinde imaan Le aate Tu Un logo per Jabardaati Karna chahte ho k Wo Momin ho yaye ?" ( Yunus 99)*
*(3)_ Agar Tera Parwardigaar Chahta to Sab logo ko Ek hi Ummat bana deta aur wo To Hamesha ikhtilaaf karte rahenge ( Bajuz Unke Jin per Tere Rab ne Raham Kiya hai ) aur unko isiliye paida Kiya hai _," ( Hood-118)*
*(4)_ "Tu use Hidayat nahi de sakta Jisse Muhabbat Karta hai Magar Allah jise Chahta hai Hidayat deta hai_," ( Qasas- 56)*
*"(5)_ Jo kuchh baate ye log Karte hai'n Hum jaante hai'n Aur Tu Un per Jabardaati nahi kar sakta, Haa'n Qur'an ka Waaz kar, Fir Jo koi Azaabe ilaahi se darta hai Wo Dare_," ( Qaaf - 45)*
*"(6)_Tum to Nasihat karte raho kyunki Tu to Nasihat karne Wale hi ho aur Un per Daroga nahi ho ( Yani Zabardasti Karne Wale nahi ho ) _," ( Al Gaashiya -21-22)*
[1/13, 8:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jung ka Zikr Khatm Karne se pehle munasib hai k us bartaav ka Zikr kar diya jaye Jo Nabi ﷺ Jung ke Qaidiyo ke Saath Kiya karte they, Islam se pehle Duniya me jitni Qaume aur Saltnate thi'n, Wo Jung ke Qaidiyo ke Saath Esa Wehshana Sulook Kiya Karti thi Jise Sun kar Badan ke rongte khade ho Jaate hai'n,*
*"_ Nabi ﷺ Ka Tareeqa E Amal Qaidiyo ke Saath Sirf Do hi Tarah per tha :- Fidiya Le kar Azaad Karna ya Bila Kisi Fidiye ke Azaad kar dena,*

*★_ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko Sabse Pehle Junge Badar ke Qaidi Haath lage, Ye Ahle Makka they, Unse badh kar Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka Dushman koi nahi tha, Nabi ﷺ ne pehle is maamle ko Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Shoora me Pesh Kiya, Sahaba me se Ek Jaanib Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu they Jinki Raay thi k Qaidiyo se Jurmana Le kar chhod diya jaye, is Raay ki taaiyd me Unhone do daleele Pesh ki - (1)_Zar Jurmane se hum Apne Saazo Samaan ki durustgi kar lenge, (2)_ Azaadi pane ke Baad mumkin hai k Un Qaidiyo se Allah Kisi ko Islam ki Hidayat farma de _,"*

*★_ Doosri Jaanib Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu they, Unki Raay thi k Qaidiyo ko qatl kiya jaye, Wo Apni Raay ki taaiyd me kehte they k Ye Log Kufr ke imaam aur Shirk ke peshwa hai'n, Allah ne humko in per galba diya hai Isliye Qasaas Lena chahiye _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Raay ko Pasand farmaya, Jo Qaidi Zar Jurmana Ada na kar sakte they Unke Liye Tajveez farmaya k Wo Ansar ki Aulaado ko likhna padhna sikha de'n ( Ya koi aur Hunar Sikhla de'n )*
[1/16, 7:30 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Baaz log Ab tak ye Samajhte hai'n k Umar Farooq Raziyallahu Anhu ki Raay zyada sahi thi, Wo hadees ke Agle hisse se daleel pakadte hai'n, Hadees ye hai k Agle Roz Umar Raziyallahu Anhu ne Rasulallah ﷺ aur Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki giriya karte hue dekha, Lekin Ulma ka ek Giroh is istadlaal ke baad bhi Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Raay ko Tarjeeh deta hai,*

*★_ Quran Majeed me bhi Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Raay ki baabat pehle se hukm mojood tha, isi Raay me Rahmat malhooz hai jo Sab cheezo se badkar hai, Nabi ﷺ ne isi Hadees me Abu Bakar Raziyallahu Anhu ko Ibrahim Alaihissalam v Iysaa Alaihissalam se aur Umar Raziyallahu Anhu ko Nooh Alaihissalam se tasbeeh di hai, Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Raay se Nabi ﷺ ki Raay muwafiq thi, Bil Aakhir Rahmatul Aalameen ﷺ ne bhi isi Raay ko barqaraar rakha, Abu Bakar Raziyallahu Anhu ka khayal sahi hua k Jung ke Qaidiyo me se bahut se log baad me khud ba khud imaan le aaye aur Jurmana ki Raqam se Musalmano ne Apni haalat ko bhi durust kar liya,*

*★_ Algarz Junge Badar ke 72 Qaidiyo me se 70 ko Aan Hazrat ﷺ ne Jurmana le kar Azaad farma diya tha, Un Qaidiyo ko Mehmano ki tarah rakha gaya tha, bahut se Qaidiyo ke Bayanaat mojood hai'n Jinhone iqraar Kiya hai k Ahle Madina Bachcho se badkar unki Aasa'ish ka Ahatmam Kiya karte they,*
*"_ Junge Badar ke baad Gazwa Banu Mustalaq me 100 se zyada Zan v Mard qaid hue they, Wo Sab bila kisi muawza ke Azaad kar diye gaye they aur unhi me se ek Khatoon Juweriya Raziyallahu Anha ko Aan Hazrat ﷺ ne Ummul Momineen hone ka darja ata farmaya tha _,"*
[1/17, 6:59 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hudebiya ke maidan me Kohe Taniym ke 80 Hamla Aawar qaid hue they, Unko bhi Aan Hazrat ﷺ ne bila kisi shart aur Jurmana se ke Azaad farma diya tha,*
*"_ Junge Hunain me 6 Hazaar Jan v Mard ko bila kisi shart aur Jurmana ke Azaad farma diya tha, Baaz Qaidiyo ka muawza Aan Hazrat ﷺ ne Apni taraf se Ada Kiya tha aur fir Aksar Qaidiyo ko Libaas v inaam de kar rukhsat farmaya tha,*

*★_ In jumla Nazeero se saabit hai k Rahmatul Aalameen ﷺ Apne Hamla Aawar aur Dushmano per qaabu aur galba pa lene ke baad kis qadar Altaaf farmaya karte they _,"*

*★_ Kutub Ahadees me Ek Waqia Qaidiyo ke tabaadle ka bhi milta hai, Nabi ﷺ ki is paak taleem hi ka Asar tha k khulfa E Rashideen ke zamane me Agarche Iraaq v Shaam, Misr v Arab, Iraan v Khusran ke Sainkdo Shehar Fateh kiye gaye, magar kisi Jagah bhi Hamla Aawaro , Jung Aazma'o ya Riyaya me se kisi ko londi gulam banane ka zikr nahi milta, Magloob Dushman se Tawaan E Jung lene ka bhi kahi'n indraaj nahi aata, Agarche Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke liye ye Jung Sakht Aazmaish thi lekin Rabbul Aalameen ki isme bhi Shayad ye hikmat hi k Islam Duniya ke Liye Jung ka bhi Namoona pesha kar de Jo insaani hamdardi aur Raham v Altaaf se labrez ho _,"*
[1/18, 8:08 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mukhtalif Mazahib aur Mukhtalif Mumalik ke Baadshaho ke Paas Dawat islam Ke Liye Safeer v Farameen Ka bheja Jana, Baaz Ka imaan le Aana, Baaz ka izhaar e Adab Karna, Baaz ka Gustakhi se pesh aana aur Unka Anjaam :-*
*"_ Nabi ﷺ ki Nabuwat me Jo esi Khususiyat payi jati hai k Digar Ambiya Alaihissalam ki Nabuwat v Risalat me mojood nahi, Unme se ek numayatar Khususiyat ye hai k Nabi ﷺ ne Islam ko Saari Duniya ka mazhab Waahid keh kar pesh kiya hai aur isiliye Nabuwat ke is ibtidayi Zamane hi se Jabki Shehar Makka ke Rehne Wale bhi Islam se Bakhoobi waaqif na hue they, Aan Hazrat ﷺ ne digar Aqwaam aur digar Mazhab ke logo me bhi Tableeg karna shuru kar diya tha, Bilaal Habshi, Suhaib Romi, Salman Faarsi, Addas Nainwayi Raziyallahu Anhum wo buzurgwar hai'n Jo Habsha, Yunaan, Iraan aur Wast Eshiya ki taraf se Samar e Awwaleen ban kar Islam me dakhil hue they,*

*★_ Nabi ﷺ ka Saare Aalam ke liye Rasool hona :- Quran Majeed ki Ayaat is bare me bahut Saaf hai'n:-*
*"_ Humne Tumhe ( Nabi ﷺ) Tamaam insaano ke liye basharat pahunchane wala, Dar Sunane wala bana kar Duniya me Rasool ﷺ banaya hai _," ( Surah Saba- Aayat 28)*

*"_ Allah wo hai jisne Apne Rasool ko Roshan Dalaa'il aur Sachche Deen ke saath bheja hai taki wo Sab Deeno per galba haasil kare _," ( Surah Saf - Aayat 9)*

*"_ Humne Tumhe (Nabi ﷺ) Tamaam Ahle Aalam ke liye Rahmat bana kar bheja hai _," (Surah Ambiya - 107)*

*"_ Unse Keh do k Ey insaani nasl ke bachcho ! Mai'n tum sabke liye Allah ka Rasool hu'n _," ( Surah A'araaf- Aayat 158)*

*★_ In Ayaat Mubaraka ke irshad ki tabiyat hi me Rasulallah ﷺ ne Khutoot Mukhtalif qaumo aur Mukhtalif Mazhabo ke Sardaaro ke paas rawana farmaye they aur Har ek ko likh diya tha k Islam se inkaar karne ka wabaal na sirf isliye padega k Tumne Apni zaat ke liye inkaar kar diya balki tumhare inkaar ki vajah se chu'nki tumhari Qaume bhi Hidayat se ruke rahegi, isliye unki zalalat v gumrahi ka wabaal bhi tumhi per padega, Kunki is farmaan me Shkhsi haisiyat se nahi balki Qaum ke Sardaar hone ki vajah se tumko mukhatib Kiya gaya hai _,"*
[1/19, 8:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Dawat Aamma Ki Nazeer mojood na thi :_*
*"_ Rasulallah ﷺ ne Tableeg islam ki baabat esi Karywahi farmayi hai jiski Nazeer Duniya ke kisi Sabqa mazhab ki Tareekh me nahi payi jati k unke Mazhab ke Baniyo ne bhi esa hi Kiya ho, Chu'nki hum Har ek Sachche Mazhab ke haadi ki Dil se izzat v Azmat karte hai'n, isliye unki khamoshi se ye Natija nikaalte hai'n k Wo muqaddas Buzurgwar Apne Mazhab ko khud bhi usi Qaum se makhsoos samajhte they Jiske liye wo bheje gaye they _,"*

*★_ Ab Agar Unke maanne Wale unke maslak se tajawuz karte hain to ye unka Apna fayl hai Jo mazhabi haisiyat se sanad nahi ban sakta, 7 Hijri ke Muqaddas Maahe Muharram ki pehli tareekh thi k Nabi ﷺ ne Sabhi Baadshaho ke naam Dawate islam ke Khutoot Mubarak Apne Safeero ke haath rawana farmaye, Jo Safeer jis Qaum ke paas bheja gaya wo waha'n ki Zubaan jaanta tha taki Tableeg ba khoobi kar sake _,"*

*★_ Ab tak Nabi ﷺ ne koi Muhar na banayi thi, Jab Baadshaho ko Khutoot likhe gaye to un per Muhar karne ke liye Khatim Tayyar ki gayi, Ye Chaandi ki thi, Teen Satro me is tarah ibaarat kund thi - Allah , Rasool , Muhammad _,"*

*★_ In Khutoot ke dekhne se maloom hota hai k jo Khat Iysaa'i Baadshaho ke naam they unme Khususiyat se ye Aayat Mubaraka bhi thi :-*
*"_( Tarjuma) Ey Ahle Kitaab ! Aao is baat per ittefaq kare'n Jo hamare aur Tumhare ( Deen ) me musawi hai, Yani Allah ke Siva kisi doosre ki ibadaat na kare'n aur kisi cheez ko bhi uska Shareek na thehraye aur Allah ke Siva uluhiyat ka darja hum Apne jese insaano ke liye Tajveez na kare'n _,"( Surah Aale imraan -64)*
[1/20, 6:48 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Hum Mukhtsar tor per in Khutoot ki Sifarish ka haal darj karte hai'n- (1) _ Baadshah Habsha Ke Naam :-*
*"_ Baadshah Mulk Habsha Najashi ke Paas Amru bin Umayya Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ ka Khat Mubark le kar gaye they, Ye Baadshah Iysaa'i tha, Tareekh Tibri se is Khat ki naqal darj ki jati hai_,*

*★_ Shuru Allah ke Naam se Jo Badi Rahmat aur Daa'imi Raham wala hai, Ye Khat Allah ke Rasool Muhammad ﷺ ki taraf se Najashi ism Baadshah ke naam hai, Tujhe Salamti ho, Mai'n pehle Allah ki Hamd v Sana Karta hu'n, Allah wo zaat hai k Koi Uske Siva ibaadat ke laayak nahi, Wo Mulk, Quddus, Salam, Momin aur Muhaymin hai aur Zaahir karta hu'n k Iysaa bin Mariyam Alaihissalam Allah ki Makhlooq aur Uska Hukm hai'n, Jo Mariyam Batool Tayyaba Afeefa ki Jaanib bheja gaya aur unhe Iysaa Alaihissalam ka isse Hamal Thehar gaya_,*

*★_ Allah ne Iysaa ko Apni Rooh aur Nafakh ( Foo'nk) se paida kiya tha Jesa k Aadam Alaihissalam ko Apne Haath aur Nafakh se paida kiya tha, Ab meri Dawat ye hai k Tu Allah per Jo Akela aur La Shareek hai imaan le aa aur Hamesha usi ki Farmabardari me raha kar aur mera itteba kar aur meri Taleem ka Sachche Dil se iqraar kar kyunki Mai'n Allah ka Rasool ﷺ hu'n _,"*

*★_ Mai'n isse pehle is Mulk me Apne Chachere Bhai Jaafar ko Musalmano ki ek Jama'at ke Saath bhej Chuka hu'n, Tum use Araam se thehrana, Najashi tum Takabbur chhod do, Kyunki Mai'n Tumko aur Tumhare Darbaar ko Allah ki taraf bulata hu'n, Dekho Mai'ne Allah ka Hukm pahuncha diya hai aur Tumhe Ba Khoobi Samjha diya hai, Ab munasib ye hai k meri Nasihat Maan lo, Salam us per Jo Seedhi Raah per chalta hai _,"*
[1/21, 7:13 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Najashi is farman Mubarak per Musalman ho gaya aur Jawab me Ye Areeza Tehreer farmaya :-*
*"_ Shuru Allah ke Naam se Jo Badi Rahmat aur Daa'imi Raham wala hai, Muhammad ﷺ ki khidmat me Najashi ism bin Abjaz ki taraf se, Ey Nabi Allah k Aap per Allah ki Salamti, Rahmat aur Barkate Ho'n, Usi Allah ki Jiske Siva koi Ma'abood nahi aur Jisne mujhe islam ki Hidayat farmayi hai _,*

*★_ Ab Arz ye hai k Huzoor ﷺ ka farman mere Paas pahuncha, Iysaa Alaihissalam ke mutalliq Jo kuchh Aap ﷺ ne Tehreer farmaya hai Ba Khuda E Zameen v Aasman, Wo isse zarra barabar bhi badh kar nahi, Unki haisiyat utni hi hai jo Aap ﷺ ne Tehreer farmayi hai, Humne Aapki Taleem seekh Li hai aur Aapka Chachera Bhai aur Musalman mere Paas Araam se hai'n, Mai'n iqraar karta hu'n k Aap ﷺ Allah ke Rasool hai'n, Sachche hai'n aur Raastbaazo ki Sachchayi zaahir karne wale hai'n _,"*

*★_ Mai'n Aap ﷺ se Bayt karta hu'n, Maine Aapke Chachere Bhai ke haath per Huzoor ﷺ ki Bayt aur Allah Taala ki Farmabardari ka iqraar kar liya hai aur Mai'n Huzoor ﷺ ki khidmat me Apne Farzand "Arha" ko rawana karta hu'n, Mai'n to Apne hi Nafs ka Maalik hu'n, Agar Huzoor ﷺ ka mansha ye hoga k Mai'n haazir khidmat ho jau'n to Zaroor Haazir ho jaunga, Kyunki Mai'n Yaqeen karta hu'n k Huzoor ﷺ Jo farmate hai'n wohi Haq hai, Ey Allah ke Rasool ﷺ Aap per Salam ho _,"*
[1/22, 5:19 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Shahe Behrain Ka islam :-*
*"_ Manzr bin Saavi Shahe Behrain tha, Shehanshahe Faaras ka Kharaaj Guzaar tha, Alaa bin Hajar Raziyallahu Anhu uske paas naama ( khat) Mubarak le kar gaye they, Ye Musalman ho gaya aur uski Riyaya ka Aksar hissa bhi Musalman hua, Usne jawab me Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me likha tha k baaz logo ne Islam ko behad pasand kiya hai, baaz ne karahat ka izhaar Kiya hai, Baaz ne mukhalfat ki hai, mere ilaaqe me Yahoodi aur Majoosi bahut hai'n, Unke liye Jo irshad ho kiya jaye _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne jawab me Tehreer farmaya tha, Jo Nasihat pakadta hai wo Apne liye karta hai, Jo Yahoodiyat ya Majoosiyat per qaaim rahe wo Kharaaj diya kare _,"*
*"_( Zaadul Ma'ad-3/692-693)*

*★_ Safeere islam ki Darbare Omaan me Guftgu :-*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ka qaul hai k Jab Mai'n Omaan pahuncha to Pehle Abd ko mila, Ye Sardaar tha aur Apne Bhai ki nisbat zyada Naram v Khush Khalq tha, Maine use bataya k Mai'n Rasulallah ﷺ ka Safeer hu'n aur Tumhare paas aur Tumhare Bhai ke paas aaya hu'n, Abd bola - Mera Bhai Umr me mujhse bada hai aur Mulk ka maalik hai, Mai'n tumhe uski khidmat me pahuncha dunga, magar Ye to batao k Tum kis Cheez ki Dawat dete ho ?*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha - Akele Allah ki taraf jiska koi Shareek nahi aur is Shahadat ki taraf k Muhammad ﷺ Allah Az v Jal ke Bande aur Rasool hai'n _,"*

*★_ Abd ne kaha - Amru Raziyallahu Anhu Tu Sardaar Qaum ka beta hai, Batlao k Tere Baap ne kya kiya, kyunki hum use Namoona bana sakte hai'n _,*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne jawab diya- Wo mar gaya, Nabi ﷺ per imaan na laya tha, Kaash ! Wo imaan Laata aur Aan Hazrat ﷺ ki Raastbaazi ka iqraar karta, Mai'n bhi Apne Baap ki Raay hi per tha hattaki Allah ne mujhe islam ki Hidayat farmayi _,"*
[1/23, 8:16 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abd ne kaha - Tum kabse Muhammad ﷺ ke Peru ho gaye ho ? Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha- Abhi thoda Arsa hua _,"*
*"_ Abd- Kaha'n ? Amru bin Aas - Najashi ke darbaar me aur Najashi bhi Musalman ho gaya gaya _,*
*"_ Abd- Waha'n ki Ri'aya ne Najashi ke saath kya Sulook Kiya ? Amru bin Aas- Use Ba Dastoor Badshaah rehne Diya aur unhone islam qubool kar liya _,"*
*""_ Abd- ( Tajjub se ) Kya Bishop Paadriyo ne bhi ? Amru bin Aas - Haa'n _,"*

*★_ Abd- dekho ! Amru Raziyallahu Anhu kya keh rehe ho ? Insaan ke liye koi cheez bhi jhoot se bad kar zillat bakhsh nahi _,"*
*"_Amru bin Aas - Maine Jhoot nahi kaha aur Islam me jhoot bolna Jaa'iz bhi nahi_," Abd - Hiraqqal ne kya kiya ? Kya use Najashi ke islam lane ka haal Maloom hai ?*
*"_ Amru bin Aas- Haa'n _," Abd - Tum Kyu kar esa keh sakte ho ?*

*★_ Amru bin Aas- Najashi Hiraqqal ko Kharaaj diya karta tha, Jabse Musalman hua, Keh diya k Ab Agar wo ek dirham bhi maangega to na dunga, Hiraqqal tak ye baat pahunch gayi, Hiraqqal ke Bhai Nabaqi ne kaha ye Najashi Huzoor ka Adna gulam ab Kharaaj dene se inkaar karta hai aur Huzoor ﷺ ke Deen ko bhi usne Chhod diya hai, Hiraqqal ne kaha - Fir kya hua ? Usne Apne liye ek mazhab pasand kar liya aur qubool kar liya, Mai'n kya Karu ? Ba khuda Agar Shehanshahi ka mujhe khayal na hota to Mai'n bhi wahi karta Jo Najashi ne kiya hai _,"*

*★_ Abd - Dekho Amru Raziyallahu Anhu kya keh rahe ho ? Amru bin Aas- Qasam hai Allah ki Sach keh raha hu'n_," Abd - Achchha Batlao, Wo kin Cheezo ke karne ka hukm deta hai aur kin Cheezo se mana karta hai ?*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu - Wo Allah Az v Jal ki ita'at ka hukm dete hai'n aur Ma'asiyat E ilaahi se rokte hai'n, Wo zina aur Sharab ke istemal se aur Pattharo aur Buto aur Saleeb ki parishtish se mana farmate hai'n _,"*
*"_ Abd - Kese Achchhe Ahkaam hai'n Jinki wo Dawat dete hai'n, Kaash ! Mera Bhai meri raay qubool kare, hum dono Muhammad ﷺ ki khidmat me ja kar imaan laye, Mai'n Samajhta hu'n k Agar mere Bhai ne is paigaam ko Rad kiya aur Duniya hi ka Raagib raha to wo Apne mulk ke liye bhi Sarapa nuqsaan saabit hoga _,"*
[1/24, 6:34 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu:- Agar wo Islam qubool karega to Nabi ﷺ usko is Mulk ka Badshaah Tasleem farma lenge, Wo sirf itna karenge k Yaha'n Ke Ameero se Sadqa wasool kar ke Yaha'n ke Gareebo me Taqseem Kara denga_,"*
*"_ Abd - Ye to Achchhi baat hai magar Sadqa se kya matlab hai ?*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne ZAKAAT ke Masail batlaye, Jab ye batlaya k Ou'nt me bhi zakaat hai to Abd bola :- Kya wo hamare maweshi me se bhi Sadqa dene ko kahenge ? Wo to khud hi darakhto ke patto se pet bhar leta hai aur khud hi Pani ja Peeta hai _,"*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha:- Haa'n ! Ou'nto me se bhi Sadqa liya jata hai _,"*
*"_ Abd :- Mai'n nahi jaanta k meri Qaum ke log jo Tadaad me zyada hai aur door door tak bikhre pade hai'n, Wo is hukm ko Maan lenge _,"*

*★_ Algarz Amru bin Aas Raziyallahu Anhu waha'n Chand Roz thehre, Abd Roz Roz ki baate Apne Bhai ko pahuncha diya karta, Ek Roz Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko Badshaah ne talab kiya, Chobdaaro ne dono Jaanib se baazu thaam kar unhe Badshaah ke Huzoor me pesh kiya, Badshaah ne farmaya - ise chhod do, Chobdaaro ne chhod diya, Ye bethne lage, Chobdaaro ne fir Toka, Unhone Badshaah ki taraf dekha, Badshaah ne kaha :- Bolo tumhara kya kaam hai ?*

*★_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne khat diya jis per Muhar sabt thi, Usne khat khola, padha, fir Bhai ko diya, usne bhi padha aur Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne dekha k Bhai zyada Naram Dil hai, Badshaah ne puchha :- K Quresh ka kya haal hai ? Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha:- Sabne Apni marzi se unki ita'at akhtyar kar li hai, Badshaah ne puchha- k Uske Saath rehne wale kon log hai'n ?*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu :- ye wo log hai'n Jinhone Islam ko Raza v Ragbat se qubool kiya, Sab kuchh chhod kar Nabi ﷺ hi ko Akhtyar kar liya hai aur poori gor v fikr aur Aqal v Tajurba se Nabi ﷺ ki jaanch kar li hai _,"*
*"_Badshaah ne kaha- Achha Tum kal fir milna _,"*

*★_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Doosre Roz Badshaah se mile, Badshaah ne kaha :- Maine is maamle me gor kiya hai, Dekho Agar Mai'n ese Shakhsh ki ita'at akhtyar karta hu'n jiski Fauj hamare mulk tak nahi pahunchi to Mai'n Saare Arab me kamzor samjha jaunga, Halanki Agar uski fauj is Mulk me aaye to Mai'n esi Sakht ladayi ladu k tumhe kabhi Saabqa na hua ho _,"*
*"_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha - Behtar Mai'n kal waapas chala jaunga, Badshaah ne kaha - Nahi kal tak thehro _,"*
*"_ Doosr din Badshaah ne unhe Aadmi bhej kar bulaya aur dono Bhai Musalman ho gaye aur Ri'aya ka Aksar hissa bhi Islam le aaya _,*
[1/25, 4:58 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Governoran Damishq v Yamama ka inkaar _,"*
*"_Manzr bin Haaris bin Abu Shimar Damishk ka Haakim aur Shaam ka Governor tha, Shu'ja bin Wahab Al Asdi Raziyallahu Anhu uske paas Bator Sifarat bheje gaye they, Ye pehle to khat Mubarak padh kar bahut bigda, Kaha Mai'n khud Madina per Hamla karunga, Bil Aakhir Safeer ko ba Aizaaz rukhsat kiya, magar imaan na laya _,"*

*★_ Bozad bin Ali Haakim Yamama Iysaa'i mazhab tha, Sulet bin Amru Raziyallahu Anhu Naama Mubark uske paas le kar gaye they, Usne kaha - Agar islam per meri aadhi hukumat tasleem kar li jaye to Musalman ho jau'nga, Bozad is jawab ke thode dino baad halaak ho gaya_,"*

*★_ Jareeh bin Mati Al Mulqab Ba Maqoosi Shaah iskandriya Misr Iysaa'i mazhab tha, Haatib bin Abi Balta Raziyallahu Anhu uske paas Safeer hoke gaye they, Nabi ﷺ ne khat ke Aakhir me Tehreer farma diya tha k Agar tumne Islam se inkaar kiya to tamaam Misriyo'n ( Ahle Qibt ) ke musalman na hone ka gunaah tumhari gardan per hoga, Safeer ne khat pahunchane ke alawa Badshaah ko in Alfaaz me khud bhi Samjhaya tha :-*
*"_ Sahab ! Aapse pehle is Mulk me ek Shakhs ho chuka hai, Mai'n tum logo ka bada Rab hu'n, kaha karta tha aur Allah ne use Duniya aur Aakhirat ki Ruswayi di, Jab Allah ka gazab bhadka to wo mulk vagera kuchh bhi na raha, isliye laazim hai k Tum doosro ko dekho aur ibrat pakdo, Ye na ho k doosre tumse ibrat liya kare'n _,"*

*★_ Badshaah ne kaha :- Hum khud ek mazhab rakhte hai'n, use tark nahi karenge, Jab tak k isse behtar koi Deen na mile _,"*
*"_ Haatib Raziyallahu Anhu bole :- Mai'n Aapko Deen islam ki jaanib bulata hu'n, Jo jumla digar Mazahib se kifayat kunandah hai, Nabi ﷺ ne sab hi ko Dawate islam farmayi, Quresh ne mukhalfat ki hai aur Yahood ne Adawat, lekin sabme se muhabbat ke saath qareebtar Ansari rahe hai'n, Wallah ! Jis tarah moosa Moosa Alaihissalam ne Iysaa Alaihissalam ke liye basharat di usi tarah Iysaa Alaihissalam ne Muhammad ﷺ ki basharat di hai, Quran Majeed ki Dawat hum Aapko usi tarah dete hai'n jese Aap Ahle Toraat ko injeel ki Dawat diya karte hai'n, Jis Nabi ko jis Qaum ka zamana mila wahi Qaum uski ummat samjhi jati hai, isliye Aap per laazim hai k us Nabi ki ita'at kare'n Jiska Zamana Aapko mil gaya hai aur ye Samjh le'n k hum Aapko Hazrat Maseeh Alaihissalam ke mazhab ki taraf dawat dete hai'n _,"*
[1/26, 6:46 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Maqooqas ne kaha :- Maine us Nabi ﷺ ke bare me gor kiya, Mujhe koi Ragbat Maloom nahi hui, Agarche wo kisi margoob cheez se nahi rokte hai'n, Mai'n jaanta hu'n k na wo Saahir Zarar Rasaal hai'n, na kaahin Kaazib aur unme to Nabuwat hi ki Alamat payi jati hai, Baharhaal Mai'n is maamle me mazeed gor karunga _,"*
*"_ Fir Aan Hazrat ﷺ ke khat ko haathi daa'nt ke dibbe me rakhwa kar Muhar lagwa kar khazana me rakhwa diya, Aan Hazrat ﷺ ke liye Tohfe bheje aur jawabi Khat me ye bhi likha k Ye to mujhe maloom hai k Ek Nabi ka zahoor baqi hai magar Mai'n ye Samajhta raha k wo Rasool Mulk Shaam me honge _," Duldul mash'hoor khachchar isi ne tohfe me bheja tha _,"*

*★_ Hiraqqal Shahe Qustuntuniya Yaroma ki Mashriki Shaakh Saltnat ka Namoor Shehanshah Iysaa'i mazhab tha, Dahiya bin Khalifa Raziyallahu Anhu uske paas naama Mubarak le kar gaye they, Ye Badshaah se Baitul Muqaddas ke Muqaam per mile, Hiraqqal ne Safeer ke Aizaaz me bada Shandaar darbaar kiya aur Safeer se Nabi ﷺ ke mutalliq bahut si baate daryaft karta raha,*

*★_ Iske baad Hiraqqal ne mazeed Tehqiqaat karna bhi zaroori samjha, Hukm diya k Agar Mulk me koi Shakhs Makka ka aaya hua mojood ho to pesh kiya jaye, ittefaq se un dino Abu Sufiyan digar Makka ke Taajiro ke saath Shaam aaye hue they, Unhe Baitul Muqaddas pahunchaya aur darbaar me pesh kiya gaya, Qaisar ne Saathi Taajiro se kaha k Mai'n Abu Sufiyan se Sawal karunga, Agar koi jawab galat de to mujhe batla dena, Abu Sufiyan un dino Nabi ﷺ ke jaani dushman they, Unka Apna bayan hai k Agar mujhe dar na hota k mere Saath wale Mera jhoot zaahir kar denge to Mai'n bahut baate banata, Magar us Waqt Qaisar ke Saamne mujhe Sach Sach kehna pada _,"*
[1/27, 8:19 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sawal v Jawab ye hai'n :-*.
*"_ Qaisar - Muhammad ﷺ ka khandaan aur Nasab kesa hai ? Abu Sufiyan- Shareef v Azeem, Ye Jawab sunkar Hiraqqal ne kaha- Sach hai k Nabi Shareef gharane ke hote hai'n taki unki ita'at me kisi ko aar na ho, Muhammad ﷺ se pehle bhi kisi ne Arab me ya Quresh ne Nabi hone ka Daava kiya hai ? Abu Sufiyan- Nahi , Ye jawab sunkar Hiraqqal ne kaha- Agar esa hota to Mai'n samajh leta k Apne se pehle ki Taqleed karta hai _,*

*★_ Qaisar- Nabi hone ke Daava se pehle ye Shakhsh jhoot bola karta tha ya Usko jhoot bolne ki kabhi Tohmat di gayi thi ? Abu Sufiyan- nahi, Hiraqqal ne is jawab per kaha - Ye nahi ho sakta k Jis Shakhsh ne logo per jhoot na bola ho wo Allah per Jhoot baandhe _,"*

*★_ Qaisar - Uske Baap Daada me koi Shakhs Badshaah bhi hua hai ? Abu Sufiyan- Nahi,*
*"_ Hiraqqal ne is jawab per kaha- Agar esa hota to Mai'n Samajh leta k Nabuwat ke bahane se Baap Daada ki Saltnat haasil karna chahta hai _,"*
*"_ Qaisar - Muhammad ﷺ ke maanne Wale Miskeen gareeb log zyada hai'n hai'n ya Sardaar Qavi log ? Abu Sufiyan- Miskeen Haqeer log _,"*
*"_ Hiraqqal ne is jawab per kaha- har ek Nabi ke pehle maanne Wale Miskeen gareeb log hi hote Hai'n_,"*

*★_ Qaisar - Un logo ki tadaad Din ba Din badh rahi hai ya Kam hoti hai ? Abu Sufiyan- badh rahi hai, Hiraqqal ne kaha- imaan ka yahi khassa hai k Aahista Aahista badhta hai aur Had Kamaal tak pahunch jata hai _,"*
*"_Qaisar - Koi Shakhs uske Deen se bezaar ho kar fir bhi jata hai ? Abu Sufiyan- nahi ,*
*"_ Hiraqqal ne kaha- Lazzate imaan ki yahi taseer hoti hai k jab Dil me beth jati hai aur Rooh per Apna Asar qaa'im kar leti hai tab juda nahi hoti _,"*.
*"_ Ye Shakhs kabhi Ahad v Paimaan ko tod bhi deta hai ? Abu Sufiyan- nahi, lekin Amaaal Hamara muahida usse hua hai, dekhe kya Anjaam ho ( Us Waqt Rasulallah ﷺ aur Mushrikeen Makka ke darmiyan Suleh Hudebiya hui thi, Abu Sufiyan ka ishara usi Muahide ki taraf hai )_,*

 *★_Abu Sufiyan Kehte hai'n k Mai'n sirf is jawab me itna fiqra zyada kar saka tha magar Qaisar ne us per kuchh tavajjo na ki aur yu'n kaha - Beshak Nabi Ahad Shikan nahi hote, Ahad Shikni Duniyadaar Kiya karta hai, Nabi Duniya ke Taalib nahi hote _,"*

*★_ Qaisar :- Kabhi us Shakhs ke saath tumhari ladayi bhi Hui ? Abu Sufiyan- Haa'n, Kabhi wo gaalib raha ( Badar me) kabhi hum ( Uhad me )_,*
*"_ Hiraqqal ne kaha- Allah ke Nabiyo ka yahi haal hota hai lekin Aakhir Allah ki madad aur Fateh unhi ko haasil hoti hai_,"*.
*"_ Qaisar - Uski Taleem kya hai ? Abu Sufiyan:- ek Rab ki ibaadat karo, Baap Daada ka Tareeqa ( But Parasti) ko chhod do, Namaz, Roza, Sachchayi, Paak daamani, Silah Rehmi ki pabandi akhtyar karo _,"*

*★_ Hiraqqal ne kaha - Nabi Mouod ki yahi Alamate humko batlayi gayi hai'n, Mai'n Samajhta tha k Nabi ka Zahoor hone wala hai lekin ye na Samajhta tha k Wo Arab me se hoga , Abu Sufiyan ! Agar tumne Sach Sach jawab diye hai'n to Wo ek Roz is jagah per Jaha'n Mai'n betha hu'n ( Shaam v Baitul Muqaddas) zaroor qaabiz ho jayega, Kaash Mai'n unki Khidmat me pahunch sakta aur Nabi ﷺ ke Paa'nv dhoya karta _,"*

*★_ Uske baad Aan Hazrat ﷺ ka Khat Mubark padha gaya, Arakeen darbaar use sun kar bahut cheekhe aur chillaye aur Humko darbaar se nikaal diya gaya, Mere Dil me usi Roz se Apni zillat ka naqsh aur Aan Hazrat ﷺ ki Aainda Azmat ka Yaqeen ho gaya _,"*   

 [1/29, 7:58 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Kisra ( Shaahe Faaras) Ko Tableeg_,"*
*"_ Khusro Parvez - Kisra Iraan Nisf Mashriqi Duniya ka Shehanshah tha, Zartashti Mazhab rakhta tha, Abdullah bin Khudam Raziyallahu Anhu uske Paas Khat Mubark le kar gaye they, Khat ki naqal ye hai :-*

*"_ Shuru Allah Rahman v Raheem ke naam se, Muhammad Rasulallah ﷺ ki taraf se Kisra Faaras ke naam, Salam us per Jo Sidhe Raah per chalta, Allah aur Rasool ﷺ per imaan Laata aur ye Shahadat ada karta hai k Allah ke Siva koi ibaadat ke laa'iq nahi aur Muhammad ﷺ uske Bande aur Rasool hai'n, Mai'n Tujhe Allah ke Paigam ki Dawat deta hu'n aur Mai'n Allah ka Rasool hu'n, Mujhe Jumla Nasle Aadam ki taraf bheja gaya hai taki Jo koi Zinda hai use Azaabe ilaahi ka Dar Suna diya jaye aur Jo koi Munkir hai'n un per Allah ka Qaul poora ho, Tu Musalman ho ja, Salamat rahega, Varna Qaum Majoos ka gunah tere zimme hoga _,"*

*★_ Khusro ne Khat Mubark dekhte hi gusse se chaak kar daala aur zubaan se kaha- Meri Ri'aya ka Adna Shakhs mujhe khat likhta hai aur Apna Naam mere naam se pehle Tehreer karta hai,*
*( Sahi Bukhari: 2941, Tareekh Tibri-2/264)*

*"_Uske baad Khusro ne Bazaan ko jo Yaman me uska Nayab tha aur Arab ka tamaam mulk uske Zere iqtidaar ya zere Asar samjha jata tha, Ye hukm bheja k us Shakhs ( Nabi ﷺ) ko girftaay kar ke mere Paas rawana kar do _,"*

*★_ Bazaan ne ek Fauji Dasta mamoor kiya, Fauji Afsar ka naam khar Khusro tha, Ek Mulki Afsar bhi saath rawana kiya Jiska Naam Banuya tha, Banuya ko Hidayat ki thi k Aan Hazrat ﷺ ke halaat per gehri nazar daale aur Aan Hazrat ﷺ ko Kisra ke paas pahuncha de lekin Agar Aap Saath Jane se inkaar kare'n to waapas aa kar report kare _,"*

*★_ Jab ye Fauji Dasta Taa'if Pahuncha to Ahle Taa'if ne badi Khushiya'n manayi k Ab Muhammad ﷺ zaroor tabaah ho jayenge kyunki Shehanshah Kisra ne unhe Gustakhi ki Saza dene ka hukm de diya hai _,"*
[1/30, 6:31 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Khusro Ke Qatl ki Khabar Aan Hazrat ﷺ ko Ba ilaame ilaahi milna :-*
*"_ Jab Ye Afasr Madina me Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hue to Nabi ﷺ ne farmaya k Wo kal ko fir haazir ho, Doosre Roz Nabi ﷺ ne farmaya Aaj Raat tumhare Badshaah ko Allah ne Halaak kar daala, Jao aur Tehqeeq karo, Afsar ye khabar sun kar Yaman ko lot gaye, Waha'n Nayab ke paas Sarkari ittela aa chuki thi k Khusro ko uske Bete ne qatl kar diya aur Takht ka maalik Sherwiya hai Jo Baap ka Qaatil tha _,"*

*★_ Ab Bazaan ne Nabi ﷺ ke Adaat v Akhlaq aur Taleem v Hidayaat ke mutalliq Kaamil Tehqiqaat ki aur Tehqiqaat ke baad imaan le aaya, Darbaar aur Mulk ka Aksar hissa bhi imaan le aaya, Jo Safeer Nabi Kareem ne bheja tha usne waapas aa kar arz kiya tha k Shaahe Iraan ne Naama Mubark ko chaak kar daala, Us Waqt Nabi ﷺ ne farmaya- Usne Apni ( Qaum ke) farman Saltnat ko chaak kar diya hai_,"*

*★_ Nazreen ! Is Mukhtsar aur pur haibat jumle ko dekhe aur Sava Terah so baras ki tareekh Aalam me talash kare'y k kisi jagah us Qaum ki Saltnat ka Nishan bhi milta hai, Jo is Waqie se pehle Chaar Paa'nch Hazaar baras se Aadhi Duniya per Shehnshahi karti thi aur Jiski Futuhaat baarha Yunaan v Roma ko nicha dikha Chuki thi,*
[1/31, 8:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ke Ahad me islam Ki isha'at:-*
*"_ Nabi ﷺ ke Ahad me islam ki isha'at jis Husn v khoobi ke saath hui thi, Uski Mukhtsar kaifiyat Un Wafood se Andaza ki ja sakti hai Jo Waqtan Fa Waqtan Huzoor ﷺ ki khidmat me door daraaz se aaya karte they, Wafood ka aana, Waapas Jana, Har Manzil aur Raah per Mukhtalif qaumo aur Qabilo se milna aur Islam ki Awaaz ka sab Logo'n ke kaan tak pahunchana kesi khoobi se Anjaam Paya tha,*

*★_ Rasulallah ﷺ ki muda'faana Jung to Jinme Majburan Shamil hona pada, Mulk ke ek mehdood daayre hi me thi lekin in Wafood ko dekh kar Mulk ke har Goshe aur har hisse se chale aate they, Hidayat aur islam hi wo chashme hai'n Jo Nabi ﷺ ne Chatiyat maidaan me Baha diye they Jiski taraf tamaam pyase chale aate they,*
*"_Dawate Aam ki doosri zabardast Daleel un Wafood ka haazir hona hai, Jin Qaba'il ke Wafood Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me haazir hue, Unke naam ye hai'n, Maine un Qaba'il ke naam is fehrist me Shamil nahi kiye Jinka Nabi ﷺ ki khidmat me aana mulki Agraaz ya Zaati fawa'id ke liye tha _,"*

*★_(1) Daus (2) Sad'a (3) Saqeef (4) Abdul Qais (5) Bani Hanifa (6) Tay (7) Ash'areen (8) Azd (9) Fardah Juzami (10) Hamdaan ( 11) Tariq bin Abdullah (12) Tajeeb (13) Bani Sa'ad Huzaim ( 14) Banu Asad (15) Bahra (16) Azra (17) Kholaan (18) Maharib (19) Gassan (20) Bani Haaris ( 21) Bani Ais ( 22) Gaamid (23) Bani Farazah (24) Salaman ( 25) Najraan ( 26) Nakha'a _,*
[2/1, 7:08 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Yaha'n Per Un Wafood ke Mukhtsar Haal darj kiye jate Hai'n:-*
*"_(1)_ Wafad Daus :- Tufail bin Amru Dausi Raziyallahu Anhu ke islam lane ka zikr hum pehle likh chuke hai'n, islam ke baad jab ye buzurgwar watan ko jane lage to unhone arz Kiya:- Ya Rasulallah ﷺ Dua Farmaiye k meri Qaum bhi meri Dawat per imaan le Aaye, Nabi ﷺ ne Dua Farmayi- Ya Allah Tufail hi ko tu ek Nishan ( Aayat ) bana de _,"*

*★_ Tufail Raziyallahu Anhu Ghar pahunche to Budha Baap Milne ke liye aaya, Tufail Raziyallahu Anhu ne kaha- Abba Jaan ! Ab na Mai'n Tumhara hu'n aur na Aap mere hai'n _," Budhe ne kaha - Ye kyu ?*
*"_ Tufail Raziyallahu Anhu ne kaha- Mai'n to Muhammad ﷺ ka Deen qubool kar ke Musalman hoke aaya hu'n _," Budhe ne kaha- Beta ! Jo tera Deen hai wohi Mera bhi hai _,"*
*"_Tufail Raziyallahu Anhu ne kaha - Khoob ! Aap uthiye, Gusl farmaye'n, Paak kapde pehan kar Tashreef laye'n taki Mai'n islam ki taleem du'n _,"*

*★_ Fir Tufail Raziyallahu Anhu ki Bivi aayi, Usse bhi usi tarah baat cheet hui aur Wo bhi imaan le aayi, Ab Tufail Raziyallahu Anhu ne Islam ki munadi shuru kar di Lekin log kuchh imaan na laye _,"*

*★_ Tufail Raziyallahu Anhu fir Nabi ﷺ ki khidmat me aaye, arz Kiya k meri Qaum me zina ki kasrat hai, ( Chu'nki islam zina ko sakhti se haraam thehrata hai ) isliye log imaan nahi late, Huzoor ﷺ unke liye Dua farmaye'n, Nabi ﷺ ne Zubaan Mubarak se kaha - Ey Allah Daus Ko seedha Raasta dikhla _,"*
*( Bukhari 2937, Muslim- 197, 252)*

*★_ Fir Tufail Raziyallahu Anhu se farmaya- Jao, Logo'n ko Deen E Haq ki taraf bulao, Unse Narmi aur Muhabbat ka bartaav karo, Is dafa Tufail Raziyallahu Anhu ko achchhi kamyaabi hui, Wo 5 Hijri me Daus ke 70 - 80 Khandano ko jo imaan la chuke they, Saath le kar Madina pahunche, Maloom hua k Huzoor ﷺ Khaibar gaye hue hai'n isliye Khaibar hi pahunch kar Sharf E Huzoori haasil Kiya aur ye sab log bhi Khaibar hi me Nabi ﷺ ke Didaar se mushrraf hue _,"*
[2/2, 3:00 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (2)_Wafad Sad'a:- Ye Wafad 8 Hijri me Haazir khidmate Nabvi ﷺ hua tha, Sabse Pehle us Qaum ka ek Shakhs Zyaad bin Haaris Raziyallahu Anhu Sad'ai haazir hue, Fir dobara wohi Zyaad Qaum ke 15 Logo ko le kar aaya, Sa'ad bin Ubada Raziyallahu Anhu unki tawazo ke liye mamoor hue, Unke waapas jane ke baad unke Qabile me islam fail gaya,*

*★_ Zyaad Raziyallahu Anhu ne Nabi ﷺ se arz Kiya k Hamare Yaha'n sirf ek Ku'nwa hai, Sardiyo me uska pani kaafi hota hai, Lekin garmi me khushk ho jata hai, isliye tamaam Qaum mutafarriq ho kar ye mausam poora karti hai, Hamara Qabila Abhi jadidul islam hai, Taleem v Ta'allum ki bahut zyada Zarurat hai, Dua Farmaiye k Ku'nwe ka Pani khatm na hua kare, Nabi ﷺ ne farmaya:- Tum saat Kankriya utha Lao, Zyaad Raziyallahu Anhu le aaye, Nabi ﷺ ne unko Apne haath me rakh kar fir waapas de diya, Farmaya- Ek ek Kankri us Ku'nwe me gira dena, Har ek Kankri per Allah Allah padhte Jana, Zyaad Raziyallahu Anhu ka bayan hai k fir us Ku'nwe me itna Pani badh gaya k uski gehrayi ka pata hi na laga karta,*

*★_(3)_ Wafad Saqeef Ka haal :- Saqeef me se sabse Shakhsh Jo Taleem islam haasil karne ke liye Nabi ﷺ ki khidmat me aaya tha, Wo Urwah bin Masoud Saqfi Raziyallahu Anhu they, Ye Apni Qaum ke Sardaar they aur Suleh Hudebiya me Quresh Makka ke Wakeel ban kar Rasulallah ﷺ ki khidmat me aaye they, Junge Hawazin v Saqeef ke baad Jazba Tofeeq ilaahi se Madina Munawwara me haazir hue aur islam qubool kiya _,"*

*★_ Jab Urwah islam seekh chuke to unhone Aan Hazrat ﷺ se arz kiya k Ab mujhe Apni Qaum me jane, islam ki munnadi karne ki ijazat farma dijiye, Nabi ﷺ ne farmaya Tumhari Qaum tumhe qatl kar degi, Urwah ne arz Kiya:- Ya Rasulallah ﷺ meri Qaum ko mujhse itni muhabbat hai Jitni kisi Aashiq ko Apne Mashooq se hoti hai, Ye Buzurgwar Apni Qaum me aaye aur Waaz islam shuru kar diya, Ek Roz ye Apne Baala khane me Namaz padh rahe they k kisi Shaqi ne teer chalaya jisse wo Shaheed ho gaye _,"*
[2/3, 8:06 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Agarche Urwah bin Masoud Raziyallahu Anhu Zinda Salamat na rahe lekin jo Awaaz unhone Qaum ke kaano tak pahunchayi thi wo Dilo per Asar kiye bager na rahi, Thoda hi arsa guzra tha k Qaum ne Apne Chand logo ko muntakhab kiya aur Nabi ﷺ ki khidmat me isliye bheja k islam ki nisbat poori waqfiyat haasil kar le, Ye Wafad 9 Hijri me Khidmate Nabvi ﷺ me haazir hua tha, Wafad ka Sardaar Abdyalail tha, Jiske Samjhane ko Nabi ﷺ Kohe Taa'if per 10 Nabuwat me gaye they aur Unhone waaz sunne se inkaar kar ke Abaadi ke ladko aur badmasho ko Nabi ﷺ ki Ha'nsi udane aur Ruswa karne ke liye muqarrar kar diya tha aur jiske ishare se Taa'if me Nabi ﷺ per Patthar barsaye gaye, Keechad fainka gaya tha,*

*★_ Nabi ﷺ ne waha'n se aate hue ye farma diya tha k Mai'n inki barbaadi ke liye bad dua nahi karunga Kyu'nki Agar ye khud islam na layenge to inki Aainda naslo ko Allah imaan Ata karega, Ab wohi Dushman islam khud ba khud islam ke liye Apne Dil me jagah pate aur Dili Shoq v Roohi Talab se Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me haazir hote hai'n_,"*
*"_ Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu ne Nabi ﷺ se arz kiya k ye ( Ahle Saqeef) meri Qaum ke log hai'n, Kya Mai'n inhe Apne paas utaar lu'n aur unki tawazo karu'n, Nabi ﷺ ne farmaya- Mai'n mana nahi karta k tum Apni Qaum ki izzat karo lekin unko esi jagah utaaro Jaha'n Qur'an ki Awaaz unke kaano me pade _,"*

*★_ Algarz unke Khaime Masjid ke Sahan me lagaye gaye, Jaha'n se ye Qur'an bhi Sunte they aur logo ko Namaz padhte bhi dekhte, Is Tadbeer se unke Dilo per islam ki Sadaqat ka asar pada aur unhone Nabi ﷺ ke daate Mubarak per Bayt islam kar li,*

*★_ Abdyalail ne Mukhtalif Awqaat me Nabi ﷺ se Mindarja Zail Masa'il per Guftgu ki :-*
*"_(1)_ Zina Haraam hai :- Ya Rasulallah ﷺ ! Zina ke bare me Aap kya farmate hai'n, ? Hamari Qaum ke log aksar Watan se door rehte hai'n, isliye Zina ke bager kuchh chaara hi nahi,*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Zina to Haraam hai aur Allah Paak ka iske liye ye hukm hai:- "Tum zina ke qareeb bhi na Jao, Ye to sakht behaya'i aur Bahut bura Tareeqa hai _," ( Surah Bani Israiyl -32)*
[2/3, 8:26 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (2)_ Sood Ka Rupiya Lena Haraam hai :-*
*"_ Rasulallah ﷺ ! Sood ke bare me Huzoor kya farmate hai'n ? Ye to bilkul hamara hi maal hota hai,*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Tum Apna Asal Rupiya le sakte ho, dekho Allah Ta'ala ne farmaya hai, ( Surah Al Baqrah-278) :-*
*"_( Tarjuma) Ey imaan walo ! Allah Ta'ala se Daro aur Sood me se Jo Lena reh gaya hai Wo bhi chhod do _,"*

*★_ ( 3)_ Sharab ka istemal Haraam hai :- Ya Rasulallah ﷺ ! Sharaab ke bare me Aap kya farmate hai'n ? Ye to hamare hi mulk ka Arq hai aur iske bager to hum nahi reh sakte _,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Sharaab ko Allah Ta'ala ne haraam kar diya hai, Dekho Allah Ta'ala farmata hai ( Surah Al Maa'ida -90):-*
*"_( Tarjuma ):- Ey imaan walo ! Sharaab, Juwa, But aur Paase ye sab Na- Paak v gande, Shaitani Kaam hai'n, inse bacha karo, Taki tum falah pa'o_,"*
[2/5, 3:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (4)_ Wafad Abd Al Qais ka Haal :- Qabila Abd Al Qais Ka Wafad Khidmate Nabvi ﷺ me haazir hua, Nabi ﷺ ne puchha tum kis Qaum se ho ? Arz Kiya- Qaum Rabi'a se, Nabi ﷺ ne unhe khush Aamdeed farmaya, Unhone arz Kiya:- Ya Rasulallah ﷺ ! Hamare aur Huzoor ﷺ ke darmiyan Qabila Muzar ke ( Nafarman) log Abaad hai'n, Hum Shehar Haraam hi me haazir ho sakte hai'n, isliye Saaf aur waaze tor per samjha diya jaye, Jis per hum Amal karte rahe aur Qaum ke baqi Shakhsh bhi _,"*

*★_ Farmaya:- Mai'n Chaar cheezo per Amal Karne ka aur Chaar cheezo se bache rehne ka hukm deta hu'n, Jin Cheezo ke karne ka hukm hai wo ye hai'n:-*
*"(1)_ Akele Allah per imaan Lana , isse muraad ye hai k "La ilaaha illallah Muhammadur Rasulallah" ki shahadat ada karna, (2)_ Namaz (3)_ Zakaat (4)_ Ramzan ke Roze aur Maale Ganimat se Paa'nchva hissa nikaalna _,"*

*★_ Chaar cheeze jinse bachne ka hukm hai, Ye hai'n :- (1) Dab'a ( Tunba, Kaddu ko darmiyan se khurach kar andar se khaali kar ke ek tarah ka bartan bana liya jata tha ), (2)_ Khantum ( Laakhi bartan, esa Matka jiski beruni satah per Rogan kar liya jata hai), (3)_ Naqeer ( Sharaab ke liye lakdi ka ek bartan, khajoor ki jad ki lakdi jise darmiyan se khurad kar Bator bartan istemal kiya jata tha), (4)_ Muzaffat ( mitti ka esa bartan jiske bahar Taarkol fair diya jaye )_,"*
*"_ in baato ko yaad rakho aur Pichhlo ko bhi bata do _,"*

*★_ Un logo ne puchha :- Ya Rasulallah ﷺ ! Hum kese bartan me Pani piya kare, Farmaya - Mashko me jinka moonh baandh diya jata hai, Unhone kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Hamare Yaha'n choohe ba kasrat hote hai'n, isliye waha'n chamde ki Mashke Saalim nahi reh sakti hai'n, Farmaya - Khwah Saalim hi na rahe _,"*
*( Muslim -7, Zaadul Ma'ad-3/606)*
[2/6, 10:12 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (5)_Wafad Bani Hanifa:- Banu Hanifa ka Wafad Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua, Shumama bin Asaal Raziyallahu Anhu ki koshish se is ilaaqe me islam ki isha'at hui thi, Ye Wafad Madina aa kar Musalman hua tha, isi Wafad ke saath Muselma Kazzaab bhi tha, wo Madina me aa kar Logo'n se kehne laga k Agar Muhammad ﷺ ye iqraar kare'n k Mujhe unka jaanaaheen banaya jayega to Mai'n Bayt karunga _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne ye suna, Huzoor ﷺ ke haath me khajoor ki ek chhadi thi, Farmaya: - Mai'n to is chhadi ke dene ki shart per bhi Bayt Lena nahi Chahta, Agar wo Bayt na karega to Allah use tabaah farmayega, Uska Anjaam Allah Ta'ala ne mujhe dikhla diya hai, Yani Maine khwab me dekha hai k mere haatho me Sone ke kangan hai'n, Mujhe wo nagawaar maloom hue, Khwab hi me Wahi se maloom hua k unhe Foo'nk se uda do, Maine Foo'nk maari to wo ud gaye, Mai'n khayal karta hu'n k unse muraad Muselma Kazzaab aur Ans Sahibe San'a hai _,"*

*★_ Muselma Kazzaab ne Agarche Risalat ka Daava kiya tha magar Nabi ﷺ ko bhi Rasool tasleem karta tha, isse mudda'a uska galiban ye tha k us ilaaqe ke Musalman mukhalif na Ho'n, 10 Hijri me Muselma Kazzaab ne Nabi ﷺ ko ye khat likha :-* 
*"_ Allah ke Rasool Muselma ki taraf se Allah ke Rasool Muhammad ﷺ ke naam, Waaze ho k Nisf Zameen hamari hai aur Nisf Quresh ki hai, Magar Quresh insaaf nahi karte, Aap per Salam ho _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne jawab diya -( Kutub Abi ibne Ka'ab):-*
*"_ Shuru Allah ke Naam se Jo Kamaal Rahmat aur Daa'imi Raham wala hai, Allah ke Nabi ﷺ ki taraf se Muselma Kazzaab ke naam, Waaze ho Zameen Allah ki hai, Wo Apne Bando me se jise Chahta hai Waaris banata hai aur Aaqbat to Taqwa Sha'aar Logo'n ke liye hai, Salam ho us per Jo Seedhi Raah per chalta hai _,"*
*"_ Rasulallah ﷺ ka Khat Habeeb bin Zaid bin Aasim Raziyallahu Anhu le kar gaye they, Kazzaab ne unke dono Haath dono Paa'nv katwa diye they_,"*

*★_ Is Jagah Qara'ien ki ittela ke liye is qadar darj kar dena zaroori hai k Muselma per Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Khilafat me Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ne fauj Kashi ki thi, Muselma Hazrat Wehshi Raziyallahu Anhu ke haath se qatl hua tha, Wehshi wohi hai'n Jo Hazrat Hamza Raziyallahu Anhu ke Qaatil hai'n, Ye kaha karte they k Agar Kufr me maine ek Azeem insaan ko maara tha to islam me aa kar ek bade bhari Kazzaab ko bhi maara hai, Allah ne mere gunaah ki talafi kar di _,"*
[2/7, 7:38 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (6)_ Wafad Tay Ka Bayan :- Qabila Tay ka Wafad Jiska Sardaar Zaid Al Khayl tha, Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua, Nabi ﷺ ne farmaya- Arab ke Jis Shakhs ki tareef mere saamne hui wo dekhne ke waqt usse Kam hi nikla, Ek Zaid Al Khayl isse mustashna hai, Fir uska Naam Zaid Al Khayr rakh diya, Ye Sab log Zaroori Guftgu ke baad imaan le aaye _,"*

*_ (7)_ Qabila Ash'areen Ka haal :- Qabila Ash'ar ye ( Jo Ahle Yaman they ) ka Wafad haazir hua, Unke aane per Nabi ﷺ ne farmaya tha :- Ahle Yaman Aaye, Jinke Dil Nihayat naram aur Zaief hai'n _," ( Muslim -52)*
*"_ Imaan Yamano ka hai aur Hikmat Yamano ki, Maskanat Bakriyo walo me, Fakhr aur Guroor Ou'nt walo me hai Jo Mashriq ki taraf rehte hai'n, Jab ye log Madina me dakhil hue to ye Shayr padh rahe they:- ( Tarjuma) Kal hum Apne Dosto yani Muhammad ﷺ aur unke Saathiyo se milenge _,"*

*★_ (8)_ Wafad Azd ka haal :- Ye Wafad 7 Shakhso ka tha, Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hua to Nabi ﷺ ne unki Waza Qata ko pasandgi ki nigaah se dekha, puchha tum kon ho ? Unhone kaha - Hum Momin hai'n _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya:- Har ek Qaul ki ek Haqeeqat hoti hai, Batla'o k Tumhare Qaul aur imaan ki Haqeeqat kya hai ? Unhone arz kiya k hum 15 Khaslate rakhte hai'n, 5 wo hai'n Jin per Aitqaad rakhte hai'n aur 5 wo hai'n Jin per Amal karne ka hukm Aapke bheje hue Logo'n ne diya, 5 wo hai'n Jin per hum pehle se paband hai'n _,"*
[2/7, 7:56 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Imaan ki Haqeeqat :-*
*"_ ( Wafad ne arz kiya) 5 Baate Jin per Huzoor ﷺ ke muballigeen ne imaan lane ka hukm diya ye hai'n- (1) imaan baari Ta'ala per ( 2) Farishto per (3) Allah ki kitaabo per (4) Allah ke Rasoolo per (5) Marne ke Baad jee uthne per _,"*
*"_ 5 Baate Amal karne ki humko ye batlayi gayi hai'n:- (1) La ilaaha illallah kehna, (2) Paa'nch waqt ki Namaz ka qaa'im karna (3) Zakaat dena (4) Ramzan ke Roze rakhna (5) Baitul Haraam Ka Hajj karna, Jise Raah ki istet'aat ho _,"*

*★_ 5 Baate Jo pehle se maloom hai'n, ye hai'n:- (1) Asoodgi ke waqt Shukr karna (2)_ Musibat ke waqt Sabr karna (3) Qaza e ilaahi per razamand hona (4) imtihan ke Muqable me Raast Baazi ( Sachhayi, imaandari ) per qaa'im rehna (5) Aada ko Shamatat na dena ( Yani Dushman Ko bhi nuqsaan pahunchne per Khush nahi hote )*
*"_ Rasulallah ﷺ ne farmaya:- Jinhone in baato ki taleem di wo Hakeem v Aalim they aur Unki Danishmandi se maloom hota hai Goya wo Ambiya they, Achha in 5 Cheezo ko aur bata du'n taki poori 20 Khaslate ho jaye'n:-*

*★_ (1)_ Wo Cheez Jama na karo Jise khana na ho,*
*"(2)_ Wo Makaan na banao Jisme basna na ho,*
*"(3)_ Esi Baato me Muqabla na karo Jinhe kal ko chhod dena ho_,*
*(4)_ Allah ka Taqwa rakho jiski taraf laut Jana hai aur jiske Huzoor me pesh hona hai_,"*
*(5)_ Un Cheezo ki Ragbat rakho Jo Aakhirat me Tumhare kaam aayegi, Jaha'n tum hamesha rahoge _,"*
*"_ Un Logo'n ne Nabi ﷺ ki Wasiyat per poora poora Amal kiya _,"*
*( Zaadul Ma'ad-3/672)*
[2/7, 10:23 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(9)_ Farwah bin Amru Aljuzami Raziyallahu Anhu ki Sifarat aane ka zikr :-*
*"_ Arab ka jitna Shumali Hissa Saltnat Qustuntuniya ke Qabze me tha, Us saare ilaaqe ka Governor Farwah bin Amru Raziyallahu Anhu they, Unka Darul Hukumat Ma'an tha, Filisteen ka mutsala ilaaqa bhi unki hukumat me tha,*

*★_ Nabi ﷺ ne unhe Naama Mubarak ( Dawate islam ka ) bheja tha, Farwah Raziyallahu Anhu ne Islam qubool kiya aur Aan Hazrat ﷺ ke liye ek Safed rang ka qeemti khachchar Hadiya me bheja tha, Jab Badshaah Qustuntuniya ko unke Musalman ho jane ki ittela mili to unhe Hukumat se waapas bula liya _,"*

*★_ Pehle islam se fir Jane ki targeeb deta Raha, Jab Farwah Raziyallahu Anhu ne inkaar kiya to unhe Qaid kar diya gaya, Aakhir me ye raay hui k unhe Faa'nsi per latka diya jaye, Shehar Qustuntuniya me "Afra" naami talaab per unhe Faa'nsi di gayi,*

*★_ (10) Wafad Hamdaan :- Ye Qabila Yaman me Abaad tha, unme isha'at islam ke liye Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ko bheja gaya tha, Wo waha'n 6 Maah tak rahe, islam na faila, Nabi ﷺ ne Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ko us Qabila me isha'at islam ke liye Mamoor farmaya, Unke Faizaan se Tamaam Qabila ek din me imaan le Aaya_,"*

*★_ Sayyadna Ali Raziyallahu Anhu ka khat jab Nabi ﷺ ne suna to Sajda Shukr ada Kiya aur zubaan Mubarak se farmaya - Hamdaan ko Salaamti Mile, Ye Wafad unhi Logo'n ka tha jo Hazrar Ali Raziyallahu Anhu ke haath per imaan la chuke they aur Didaare Nabvi ﷺ se mushrraf hone aaye they _,"*
[2/9, 6:47 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (11)_ Wafad Tariq bin Abdullah Raziyallahu Anhu:- Tariq bin Abdullah ka bayan hai k Mai'n Makka me "Shoq Alhijaaz" me khada tha, itne me ek Shakhs waha'n aaya Jo pukar pukar kar kehta tha, Logo'n La ilaaha illallah kaho, falah pao, Ek doosra Shakhs uske pichhe aaya Jo Kankriya use maarta aur kehta tha - ise Sachcha na samjho ye jhoota Shakhs hai, Maine daryaft kiya k Ye kon hai ? Logo'n ne kaha - ye to Bani Hashim me se ek hai Jo Apne Aapko Rasulallah ﷺ samajhta hai aur Doosra Uska Chacha Abdul Uzza hai ( Abu Lahab ka naam Abdul Uzza tha )*

*★_ Tariq kehta hai k Uske baad barso guzar gaye aur Nabi ﷺ Ne Madina ja rahe, Us Waqt hamari Qaum ke Chand log jinme Mai'n bhi tha Madina gaye taki waha'n ki Khajoore mol laye'n, Jab Madina ki Abaadi me pahunch gaye to hum isliye thehar gaye k Safar ke kapde utaar kar doosre kapde badal kar Shehar me dakhil ho'nge, itne me ek Shakhs aaya Jis per do purani Chaadre thi, Usne Salam Ke baad puchha k kidhar se aaye, Kidhar jaoge ? Humne kaha k Rajbah se aaye hai'n aur Yahi'n ka qasd hai, puchha - mudda'a kya hai ? Humne kaha k Khajoore khareed karni hai, hamare paas ek surkh Ou'nt tha jiske muhaar dali hui thi,*

*★_ Us Shakhs ne kaha - ye Ou'nt bechte ho ? Usne kaha - Haa'n is qadar khajooro ke badle denge, Us Shakhs ne ye sunkar qeemat ghatane ki baabat kuchh bhi nahi kaha aur Ou'nt ki muhaar sambhal kar Shehar ko chala gaya, jab Shehar ke andar ja pahuncha to Ab aapas me log kehne lage k ye humne kya kiya ? Ou'nt ese Shakhs ko de diya jisse hum waaqif tak nahi aur qeemat ke wasool karne ka koi intezam na Kiya _,"*
*"_ Hamare Saath ek Hodaj Nasheen ( Sardaar e Qaum ki ) Aurat bhi thi, Wo boli k Maine us Shakhs ka chehra dekha tha k Chohdhvi Raat ke chaand ke Roshan hisse jesa tha, Agar esa Aadmi qeemat na de to Mai'n ada karungi _,"*

*★_ Hum yahi baate kar rahe they itne me ek Shakhs aaya kaha mujhe Rasulallah ﷺ ne bheja hai ( aur Ou'nt ki qeemat ki ) Khajoore bheji hai, ( Tumhari ziyafat ki Khajoore alag hai ) Khao piyo aur qeemat ki Khajooro ko naap kar poora kar lo, Jab hum kha pi kar sayr hue to Shehar me dakhil hue, dekha k wohi Shakhs Masjid ke mimbar per khada hua waaz kar raha hai, Humne Aap ﷺ ke Alfaaz sune, ( Tarjuma ) logo ! Khairaat diya karo, Khairaat ka dena tumhare liye behtar hai, ouper ka haath niche ke haath se behtar hai, Maa'n ko, Baap ko, Behan ko, Bhai ko, fir qareebi ko aur doosre qareebi ko do _,"*
[2/10, 10:53 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (12)_ Wafad Najeeb :- Qabila Najeeb ke 13 Shakhs haazir hue, Apni Qaum me Maal v Maveshi ki Zakaat le kar aaye they, Rasulallah ﷺ ne farmaya k ise waapas le jao aur Apne Qabile ke fuqra per Taqseem kar do, Unhone arz kiya- Ya Rasulallah ﷺ fuqra ko de kar jo Bach Raha hai hum wohi le kar aaye hai'n_,"*
*"_ Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne arz kiya- Ya Rasulallah ﷺ inse behtar koi Wafad Ab tak nahi aaya _,"*
*"_ Rasulallah ﷺ ne farmaya- Hidayat Allah Az v Jal ke haath me hai, Allah jiski behboodi ( Bhala'i ) chahta hai Uske Seene ko imaan ke liye khol deta hai _,"*
*( Musannif ibne Abi Shayba -3/222)*

*★_ in logo ne Rasulallah ﷺ se Chand baato ka sawal kiya, Aan Hazrat ﷺ ne unko jawabaat likhwa diye they, Jo log Samajhte hai'n k Hadees E Rasool Aan Hazrat ﷺ ke Zamane me Qalam Band nahi ki gayi, Wo is Waqie per zyada gor kare'n _,"*
*"_ ye log Waapsi ki ijaazat ke liye bahut hi iztraab zaahir karte they, Sahaba Raziyallahu Anhum ne puchha k tum Yaha'n se jane ke liye kyu ghabrate ho ? Kaha - Dil me ye Josh hai k Rasulallah ﷺ ke Didaar se jo Anwaar humne haasil kiye hai'n, Nabi ﷺ ke guftaar se Jo Fuyooz humne paye hai'n, Jo Barkaat aur Fawa'id humko Yaha'n aa kar haasil hue hai'n Un sabki ittela Apni Qaum ko jald pahunchaye, Aan Hazrat ﷺ ne unko atiyaat se sarfaraz kiya aur rukhsat farmaya _,*

*★_ puchha - koi shakhs tumme baqi nahi raha ? Unhone kaha - Haa'n ! Ek Nojwaan ladka hai jise samaan ke paas humne chhod diya tha, Farmaya- use bhi bhej dena, Wo Haazir hua to usne kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Huzoor ne mari Qaum ke logo per Lutf v Rahmat ki hai, mujhe bhi kuchh marhamat farmaye'n, Farmaya - tum kya chahte ho ? Kaha - Ya Rasulallah ﷺ Mera mudda'a apni Qaum ke mudda'a se alag hai, Agarche Mai'n jaanta hu'n k Wo Yaha'n islam ki muhabbat se aaye hai'n aur Sadaqat ka Maal bhi laye hai'n, Aan Hazrat ﷺ ne farmaya- Tum kya Chahte Ho ? Kaha - Mai'n Apne ghar se sirf isliye aaya tha k Huzoor mere liye Dua farmaye'n k Allah mujhe bakhsh de, mujh per Raham kare aur mere Dil ko gani bana de _,"*

*★_ Isliye Nabi ﷺ ne uske liye yahi Dua farma di, 10 Hijri ko jab Rasulallah ﷺ ne Hajj kiya to is Qabile ke log fir Huzoor ﷺ se mile, Nabi ﷺ ne puchha- Us Nojwaan ki kya khabar hai ? Logo'n ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Us jesa Shakhs kabhi dekhne me nahi aaya, Us jesa Qa'ane koi suna hi nahi gaya, Agar Duniya bhar ki Daulat uske Saamne Taqseem ho rahi ho to wo nazar utha kar bhi nahi dekhta _,"*
*( Zaadul Ma'ad- 650-651)*
[2/12, 8:14 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(13)_ Wafad Bani Sa'ad Huzaim:- Ye Qabila Quza ki ek shaakh thi, Jis waqt ye Masjide Nabvi ﷺ me pahunche to dekha k Nabi ﷺ ek janaze ki namaz padha rahe they, Unhone Aapas me ye tay kiya k Rasulallah ﷺ ki khidmat me haazir hone se pehle humko koi kaam bhi nahi karna chahiye, isliye ek taraf ho kar alag bethe rahe, Jab Aan Hazrat ﷺ udhar se faarig hue, Unko bulaya, puchha - Kya tum Musalman ho ? Unhone kaha - Haa'n, farmaya tum Apne Bhai ke liye Dua me kyu shamil na hue ?*

*★_ Arz Kiya- Hum Samajhte they k Bayt e Rasool ﷺ se pehle hum koi kaam bhi karne ke mijaaz nahi, farmaya - Jis waqt tumne islam qubool kiya usi waqt se tum Musalman ho gaye ho _,"*

*★_ Itne me wo Musalman bhi aa pahuncha Jise ye Apni Sawariyo ke paas bithla aaye they, Wafad ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Ye humse Chhota hai aur isliye hamara khadim hai, Farmaya - Haa'n ( Chhota) Apne Buzurgo ka khadim hota hai, Allah ise Barkat de, is Dua ki ye Barkat hui k ye Wohi Qaum ka imaam aur Qur'an Majeed ka Qaum me sabse achchha jaanne wala ho gaya, Jab Wafad watan ko gaya to Tamaam Qabila me islam fail gaya _,"*
[2/12, 8:36 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(14) Wafad Banu Asad :- Ye 10 Shakhs they Jinme Wabsa bin Ma'abad aur Talha bin Khuwaild bhi they, Rasulallah ﷺ Ashaab ke saath Masjid me Tashreef farma they, Unme se ek ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Hum Shahadat dete hai'n k Allah Akela hai, La Shareek hai aur Aap uske Bande aur Rasool hai'n, Dekhiye Ya Rasulallah ﷺ ! Hum Az khud Haazir ho gaye hai'n aur Aapne hamare Yaha'n koi Aadmi bhi na bheja _,"*

*★_ Is per is Aayat ka nuzool hua - ( Surah Al Hujraat -17)*
*"_ ( Tarjuma) Ye log Aap per Ahsaan jatlate hai'n k islam le aaye hai'n, Keh do k Apne islam ka mujh per Ahsaan na jatlao balki Allah tum per is baat ka Ahsaan jatlata hai k usne tumko islam ki Hidayat ki, Agar tum is Daave me sachche bhi ho _,"*

*★_ Fir un Logo'n ne Sawal kiya k Jaanwaro ki Boliyo aur Shaguno vagera se faal Lena kesa hai ? Rasulallah ﷺ ne in sabse unhe mana farmaya, Unhone arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ Ek baat baqi reh gayi hai, Yani khat Kashi ( Ramal ) iski baabat kya irshad hai, Nabi ﷺ ne farmaya- ise ek Nabi Alaihissalam ne logo ko sikhlaya tha Jis kisi ko Sahat se wo ilm mil gaya hai beshak wo to ilm hai _," ( Muslim - 537, Ahmad -5/ 447)"*
[2/12, 11:16 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(15)_ Wafad Bahra :- Ye log Madine me aaye, Miqdaad Raziyallahu Anhu ke ghar ke saamne aa kar Ou'nt bithlaye, Miqdaad Raziyallahu Anhu ne ghar walo se kaha k inke liye kuchh Tayyar karo aur Khud unke paas gaye aur khush Aamdeed keh kar Apne Ghar per le aaye, Unke Saamne "Haysh" rakha gaya, Haysh ek khana hai Jo khajoor aur Sattu mila kar ghee me Tayyar kiya jata hai, ghee ke saath bhi charbi bhi daal diya karte hai'n,*

*★_ Is khane me se kuchh Nabi ﷺ ke liye bhi Miqdaad Raziyallahu Anhu ne bheja, Nabi ﷺ ne kuchh kha kar wo Bartan waapas farma diya, Ab Miqdaad Raziyallahu Anhu dono Waqt wahi pyala un Mehmano ke saamne rakh dete, Wi maze le le kar khaya karte, magar khana Kam na hua karta tha _,*

*★_ Un logo ko dekh kar ye hairat hui, Aakhir ek Roz Apne mezbaan se puchha :- Miqdaad ! Humne to suna tha k Madine walo ki khuraak Sattu, Jo vagera hai'y, Tum to hume har waqt wo khana khilate ho jo hamare Yaha'n bahut umda samjha jata hai, Jo har roz humko mayassar bhi nahi aa sakta aur fir esa lazeez k humne kabhi esa khaya bhi nahi _,*
*"_ Miqdaad Raziyallahu Anhu ne kaha - Sahabo ! Ye sab kuchh Aan Hazrat ﷺ ke Angusht Mubarak lag chuki hai'n _,"*

*★_ Ye Sunte hi sabne ba ittefaq kaha aur Apna imaan taza kiya k beshak Wo Allah ke Rasool ﷺ hai'n, Ye log Madina Munawwara me kuchh arsa thehre, Quran aur Ahkaam Seekhe aur waapas chale gaye,*
[2/13, 9:52 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (16)_ Wafad Azrah Ka Bayan :- Maahe Safar 9 Hijri ye Wafad haazir hua tha, 12 Shakhs inme they, Unme Hamza bin Nomaan bhi they, Nabi ﷺ ne puchha:- Tum kon ho ? Unhone kaha - Hum Bani Azrah hai'n aur Qusa'i ke ( Maa'n ki taraf se) Bhai hai'n, Humne Qusa'i ko taraqqi dilayi aur Khaza aur Bani Bakar ko Makka se bahar nikala tha, isliye humko qarabat haasil hai aur Nasab bhi _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne marhaba khush Aamdeed farmaya aur ye bhi basharat sunayi k Anqareeb Shaam Fateh ho jayega, Fir Aan Hazrat ﷺ ne hukm diya k Kaahino se ja kar Sawal na Kiya kare'n aur Jo Qurbaniya'n wo kiya karte hai'n Aainda na kare'n, Ab Sirf Eidul Azha ki Qurbani baqi reh gayi hai aur fir inaam v jaa'iza se musarraf ho kar rukhsat hue _,"*

*★_ (17)_ Wafad Khaulaan :- Ye 10 Shakhs they Jo Maahe Shabaan 10 Hijri ko Khidmate Nabvi ﷺ me haazir hue they, Unhone arz kiya k hum Apni Qaum ke Pasmaando ki jaanib se Vakeel ho kar aaye hai'n, Allah aur Rasool ﷺ ki khidmat me lamba Safar tay kar ke aaye hai'n aur hum ikraar karte hain k Allah aur Rasool ﷺ ka hum per Ahsaan hai, hum Yaha'n Mahaz Ziyarat ke liye haazir hue hai'n _,"*

*★_ Rasulallah ﷺ ne farmaya- Jisne Madina aa kar meri Ziyarat ki Wo Qayamat ke din mera Hamsaya hoga _,"*
*"_Fir Rasulallah ﷺ ne daryaft Farmaya- Umm Uns Ka kya hua ? ( ye ek But ka Naam hai jo us Qaum ka Ma'abood tha) Wafad ne arz Kiya- Hazaar Shukr hai k Allah ne Huzoor ﷺ ki taleem ko hamare liye uska badal bana diya hai, Baaz Budhe aur Budhi Aurte'n reh gayi hai'n jo uski ibaadat kiye jati hai't, Ab in Sha Allah hum use ja kar gira denge _,*

*★_ Rasulallah ﷺ ne unhe Fara'ize Deen sikhlaye aur Khususiyat se in baato ki Nasihat farmayi, Ahad poora karna, Amanat ka ada karna, Hamsaya logo se achchha bartaav karna, Kisi ek Shakhs per bhi zulm na karna, Ye bhi farmaya k Zulm Qayamat ke Din Tareeki hoga _," ( Zaadul Ma'ad-3/362)*
[2/13, 12:38 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_( 18) _ Wafad Muharib :- Ye 10 Shakhs they Jo Qaum ke Vakeel ho kar 10 Hijri me aaye they, Bilaal Raziyallahu Anhu unki Mehmani ke liye mamoor they, Subeh v Sham ka khana wohi laya karte they, Ek Roz zuhar se ASR tak ka poora waqt Nabi ﷺ ne inhi ko diya, inme se ek Shakhs ko Nabi ﷺ ne gor se dekhna shuru kiya, fir farmaya - Maine tumhe pehle bhi dekha hai, Ye Shakhs bola - Allah ki qasam, Haa'n ! Huzoorﷺ ne mujhe dekha bhi tha aur mujhse baat bhi ki thi aur maine Badtareen kalaam se Huzoor ﷺ ko jawab diya aur bahut buri tarah se Huzoor ﷺ ke kalaam ko radd kiya tha, Ye Bazaar Uqaaz ka zikr hai Jaha'n Huzoor ﷺ logo ko samjhate firte they _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya- Haa'n theek hai, Us Shakhs ne kaha- Ya Rasulallah ﷺ ! Us Roz mere dosto me mujhse bad kar koi bhi Huzoor ﷺ ki mukhalfat karne wala aur islam se door door rehne wala na tha, Wo Sab to Apne Aaba'i mazhab per hi mar gaye, Magar Allah ka shukr hai k usne mujhe Aaj tak baqi rakha aur Huzoor ﷺ per imaan Lana mujhe naseeb hua _,"*
*"_ Rasulallah ﷺ ne farmaya- Sabke Dil Allah Az v Jal ke haath me hai'n _,"*

*★_ Us Shakhs ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Meri pehli haalat ke liye maafi ki Dua farmaye'n, Rasulallah ﷺ ne farmaya - islam un baato ko mita deta hai Jo Kufr me hui Ho'n _," ( Zaadul Ma'ad-3/363-364)*
[2/14, 9:53 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(19)_ Wafad Gassan ka haal :- Ramzan 10 Hijri me Qabila Gassan ke Teen Shakhs Nabi ﷺ ki khidmat me aaye they, islam qubool karne ke baad Apni Qaum ki Hidayat ka iraada kar ke waapas gaye they, Maloom hota hai k Unko isha'at islam me Kamyaabi na hui, Unme se do pehle wafaat pa chuke they aur ek Shakhs us waqt tak zinda tha jabki Hazrat Abu Ubaida bin Jareah Raziyallahu Anhu ne Shaam ko Fateh kiya tha,*

*"_(20)_ Wafad Bani Al-Haaris :- Ye Wafad Shawaal 10 Hijri me Nabi ﷺ ke pass haazir hua tha, Inke ilaaqe me Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ko isha'at islam ke liye bheja gaya tha, Unki Taleem se log imaan le aaye they, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ne Nabi ﷺ ki khidmat me ittela bhej di aur khud unki taleem ke liye waha'n thehar gaye, Nabi ﷺ ne likh bheja k Tum waapas aa jao aur Qaum ke Chand Sarkardah logo ko bhi saath lao, isi Wafad me Qais bin Al-Husain v Abdullah bin Quraad vagera they,*

*★_ Nabi ﷺ ne unse daryaft Farmaya-kya vajah hai k Jaahiliyat me jis kisi ne tumse Jung ki wo Magloob hi hua, Unhone arz kiya- Ya Rasulallah ﷺ ! Hum khud kisi per Chad kar nahi jate, Jab Ladayi ke liye jama hote hai'n to fir mutafarriq nahi hote, Apni taraf se Zulm ki ibtida nahi karte _,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Sach hai ! Yahi vajah hai _,"*
[2/18, 7:14 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(21)_ Wafad Bani Aysh Ka Haal :- Ye Wafad inteqal Mubarak se 4 Maah pehle aaya tha, Ye ilaaqa Najraan ke Bashinde they, Ye log Musalman ho kar aaye they, inhone arz kiya:- Ya Rasulallah ﷺ ! Humne Munadaan E islam se suna hai k Huzoor ﷺ ye irshad farmate hai'n jisne hijrat na ki uska islam nahi, hamare Paas Zar v Maal bhi hai aur Maweshi bhi, Jin per hamara guzar basar hau, Ab Agar Hijrat ke bager hamara islam hi theek nahi to maal v mat'a hamare kya kaam aayenge aur Maweshi Hume kya fayda denge ? Behtar hai k hum sab kuchh farokht kar ke sabke sab khidmat E Aali me Haazir ho jaye'n _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya - Jaha'n Abaad ho, Wahi'n reh kar khuda Tarsi ko Apna Shewa rakho, Tumhare Aamaal me zarra bhi Kami nahi aayegi _,"*
*"_ Is Jawab me Nabi ﷺ ne ye batla diya hai k Sab Musalmano ko Markaze islam me Jama ho kar islami raqba ko Mehdood v tang kar lena munasib nahi, Musalmano ko Mukhtalif v door dast Mulko me pahunchna aur islam ki Dawat ko pahunchana chahiye, Jo log ab tak watan chhod kar islami mulko me ja basne ko behtar samajhte hai'n unhe yaad rakhna chahiye k esa karna Aan Hazrat ﷺ ki Taleem ke bar khilaaf hai,*

*★_(22)_ Wafad Gaamid ka Bayan :- Ye Wafad 10 Hijri me aaya tha, isme 10 Aadmi they, ye Madina se bahar aa kar utre, ek ladke ko bithla kar Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hue, Nabi ﷺ ne puchha k tum samaan ke paas kise chhod kar aaye ho ? Unhone kaha - ek ladke ko, Farmaya - Tumhare baad wo so gaya, ek Shakhs aaya, Khorji ( Sandooq ) chura kar le gaya,*
*"_Ek Shakhs bola:- Ya Rasulallah ﷺ ! Khorji to meri thi, Farmaya- ghabrao nahi wo ladka utha, chor ke pichhe pichhe bhaga, use ja kar pakda, Sab Samaan Sahi Saalim mil gaya _,"*

*★_ Ye log Aan Hazrat ﷺ ki khidmat se jab waapas pahunche to ladke se maloom hua k theek usi tarah uske saath maajra hua tha, Ye log is Amr per imaan le aaye, Nabi ﷺ ne Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ko muqarrar farma diya k unhe Quran yaad karaye'n aur Shar'a e Islam Sikhla de'n, Jab wo waapas jane lage to unhe Shar'a e Islam ek kaagaz me likhwa kar diye gaye _,"*
[2/19, 6:35 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(23)_ Wafad Bani Fuzara :- Jab Rasulallah ﷺ Tabook se waapas aaye to Bani Fuzara ka Wafad jisme 10 -15 Aadmi shamil they, Khidmat Mubarak me haazir hua, Unko islam ka iqraar tha, Unki Sawari me Laagar Kamzor Ou'nt they, Rasulallah ﷺ ne puchha k Tumhari Bastiyo'n Ka kya haal hai ? Ek ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! Bastiyo'n me qahat hai, Maweshi mar gaye, Baag khushk ho gaye, Baal Bachche Bhooke mar rahe hai'n, Aap Allah se Dua kare'n k Hamari fariyaad sune, Aap hamari Sifarish Allah se kare'n, Allah hamari Sifarish Aapse kare _,"*

*★_ Rasulallah ﷺ ne farmaya - Allah in baato se paak hai, Kharabi ho tere liye, bhal Mai'n to Allah se Shafa'at karunga, Lekin Allah kis ke paas Shafa'at kare, Wo Ma'abood hai uske siva koi Ma'abood nahi, Wo sabse buzurg tar hai, Aasmano aur zameen per usi ka hukm hai, Aan Hazrat ﷺ ne unki Qaum me baarish ke liye dua farmayi _,"*

*★_(24)_ Wafad Salama'n - Shawwal 10 Hijri me aaye is Wafad me 7 Shakhs they, Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me haazir ho kar islam laye they, inhi me Habeeb bin Amru Raziyallahu Anhu they, unhone sawal kiya tha - Sab A'maal se afzal kya cheez hai ? Rasulallah ﷺ ne farmaya - Waqt per Namaz padhna _,"*

*★_ Un logo ne arz kiya k hamare Yaha'n Baarish nahi hui, Dua farmaye'n, Rasulallah ﷺ ne Zubaan Mubarak se farmaya - Ey Allah inke Ghar me Baarish barsa de, Habeeb Raziyallahu Anhu ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! In Mubarak haatho ko utha kar Dua farmaye'n, Nabi ﷺ muskuraye aur haath utha kar Dua kar di, Jab Wafad Apne watan lot kar gaya to maloom hua k theek usi Roz Baarish hui thi jis Din Nabi ﷺ ne Dua Farmayi thi _,"*
[2/20, 8:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(25)_ Wafad Najraan:- un jumla Rivayaat per Jo Wafad Najraan ke unwan ke tahat me Hadees me payi jati hai'n, gor karne se maloom hota hai k Iysa'iyan Najraan ke Do Wafad Nabi ﷺ ki khidmat me haazir hue they, isliye us tarteeb se unka Zikr kiya jata hai,*

*★_Abu Abdullah Haakim ki Rivayat An Yunus bin Bakeer me hai k Nabi ﷺ ne Ahle Najraan ko Dawate islam ka khat Tehreer farmaya tha, Jab Asqaf ne us khat ko padha to uska Badan laraj pada aur Wo kaa'np utha, Usne Foran Sharahbeel bin Wada'a ko bulaya, Ye Qabila Hamdan ka Shakhs tha, Koi bada Kaam bager iski Raay ke Haakim ya Musheer ya Paadri tay nahi kiya karte they, Asqaf ne use khat diya aur usne padh liya to Asqaf bola- Abu Mariyam ! Farmaye'n Aap ki kya raay hai ?*

*★_ Sharahbeel ne kaha - Sahab Ye to Aapko maloom hi hai k Allah ne Ibrahim Alaihissalam se ye Vaada kiya hua hai k Ismaiyl Alaihissalam ki nasl me Nabuwat bhi hogi, Mumkin hai k ye Wohi Shakhs ho lekin Nabuwat ke mutalliq meri kya raay ho sakti hai, Koi Duniyavi baat hoti to Mai'n us per poora gor kar sakta aur Apni Raay arz kar sakta tha _,"*
*"_Asqaf ne kaha - Achcha beth jao, Asqaf ne fir ek doosre Shakhs ko jiska naam Abdullah bin Sharahbeel tha aur Qaum Hameer se tha, bulaya aur Naama Mubark dikhla kar uski Raay daryaft ki, Usne Sharahbeel jesa jawab diya, Asqaf ne fir ek Teesre Shakhs Hibaar bin Qais ko bulaya, Ye Banu Al-Haaris bin Ka'ab me se tha, Naama Mubarak dikhlaya aur Raay daryaft ki, usne bhi un dono ka sa jawab diya _,"*

*★_ Jab Asqaf ne dekha k Unme se koi bhi jawab nahi deta to Usne Hukm diya k ghante bajaye jaye'n aur Taat ke parde Girja per latkaye jaye'n, Unka Dastoor tha k Agar Koi Badi Muhim darpesh hoti to logo ke bulane ka Tareeqa Din ke liye ye tha k Ghante bajaye jate aur Taat ke parde Girja per latkaye jate aur Raat ke liye ye tha k Ghante bajaye jate aur pahaad per Aag Roshan kar dete, Us Girja ke mutalliq 73 gaa'nv they Jinme Ek Laakh se zyada Jungju Mardo ki Aabadi thi, Jab Kul ilaaqe ke ye log ( sabke sab Iysaa'i they ) jama ho gaye to Asqaf ne wo Naama Mubarak sabko sunaya aur Raay daryaft ki, Mashware ke baad ye Tay hua k Sharahbeel aur Abdullah aur Hibaar ko Nabi ﷺ ki khidmat me Rawana kiya jaye aur waha'n ke sab Halaat maloom kar ke Tafseel bataye'n _,"*
[2/21, 7:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ye Log Madina Munawwara me pahunche aur Chand Roz Nabi ﷺ ki khidmat haazir rahe aur Iysaa Alaihissalam ki Shakhsiyat ke mutalliq Guftgu bhi ki, is Guftgu per in (Surah Aale imraan, ) Aayat 59-61 Ka nuzool hua _,"*
*"_ ( Tarjuma)_ Iysaa (Alaihissalam) ki misaal Allah ke nazdeek Aadam (Alaihissalam) ki si hai, Allah ne use mitti se banaya, fir farmaya k ( insaan Zinda ) ban ja, Wo Zinda ho gaya, Sachchi baat tere Parwardigaar ki jaanib se yahi hai, Ab tum is Rassi ko lamba kheenchne walo me na raho aur jo koi tumse is ilm ke baad jhagda kare, use keh do k hum Apni Aulaad ko bulate hai't, Tum Apni Aulaad ko bulao, usi tarah hamari Aurte'n aur tumhari Aurte'n, hum khud bhi aur tum khud bhi jama Ho'n, Fir Allah ki taraf mutavajjah Ho'n aur Allah ki laanat jhoote per daale_,"*

*★_ In Ayaat ke nuzool per Nabi ﷺ ne Hasan v Husain Raziyallahu Anhum ko bhi bulaya aur Fatima Raziyallahu Anha ( Sayyadul Nisa Al Aalameen) bhi baap ki pase Pusht aa kar khadi ho gayi'n, Un Iysa'iyo ne Alhida ho kar baat cheet ki, Sharahbeel ne Apne Saathiyo se kaha k is Shakhs ke mutalliq koi raay qaa'im karna Asaan nahi hai, Dekho Tamam Waadi ke log ikatthe hue, Tab unhone humko bheja tha, Mai'n Samajhta hu'n k Agar Baadshah hai tab bhi usse muqabla karna theek na hoga, Kyu'nki tamam Arab me se hum hi uski nigaah me khatakte rahenge aur Agar ye Nabi Mursal hai, Tab to uski laanat ke baad hamara tinka bhi zameen per baqi na rahega, isliye mere nazdeek behtar ye hai k Hum uski Maathati qubool kare'n aur Tum Jizya ka faisla bhi uski Raay per chhod de'n, Kyu'nki Jaha'n tak Mai'ne Samajha hai ye Sakht mizaaj nahi hai _,"*

*★_ Dono Saathiyo ne ittefaq kiya aur Unhone ja kar arz kar diya k mubahla se behtar hamare liye ye hai k Jo kuchh Huzoor ﷺ ke khayal me kal Subeh tak hamare liye behtar maloom ho, Wo hum per muqarrar kar diya jaye, Agle Roz un per Jizya muqarrar kar diya aur ek muahida jise Mugira Raziyallahu Anhu Sahabi ne likha tha aur Abu Sufiyan bin Harb, Geelaan bin Amru, Maalik, Auf, Iqra bin Haabis Sahaba Raziyallahu Anhum ki Shahadat us per Sabt thi, Unhe marhamat farmaya _,"*

*★_ Muahide ka ek fiqra khaas tor per Qara'ien ke liye mulahiza talab hai k Aan Hazrat ﷺ Iysa'iyo ko kesi Fayyazi se Mur'aat v Huqooq marhamat farmate they :-*
*"_ Najraan walo ko Allah aur Muhammad ﷺ ki hifazat haasil hogi, Jaan aur Mazhab aur Zameen aur Jaydaad ke mutalliq un sabko Jo haazir ya gaa'ib hai'n, Sahibe qibla hai'n ya itteba karne wale hai'n, Unki haalat me aur Huqooq me koi tagayyur na Kiya jayega aur Jo kuchh kam ya zyada unke qabze me hai use na badla jaye, pichhle Zamane ki Shahadat ya qatl ke tanaz'aat ke Baa'is un per muqdmaat na chalaye jayenge, Wo bekaar me na pakde jayenge, Unse Ushr na li jayegi, Unke ilaaqe ko Fauj Aboor na karegi _,"*
[2/22, 8:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Farman Haasil Kar ke ye log Najraan ko waapas chale gaye, Jab ye log Najraan pahunch gaye to Najraan ke Girja me rehne wale ek Raahib ne jo Girja ke Burj ke balayi hisse per ( Saalha Saal se ) raha karta tha, Cheekhna shuru kar diya k mujhe utaaro Varna Mai'n ouper se kood padunga, Chahe meri jaan bhi jati rahe, ye Raahib bhi Chand Taa'if le kar Nabi ﷺ ki khidmat me Rawana ho gaya, Ek Pyala, Ek Asa, Ek Chadar usne Bator Tohfa pesh ki thi, Wo chaadar Khulfa e Abbasiya ke zamane tak barabar mehfooz rahi thi, Raahib ne kuchh Arsa tak Madina me thehar kar islami Taleem se Waqfiyat haasil ki aur Fir Aan Hazrat ﷺ se ijazat le kar aur waapas aane ka vaada kar ke Najraan chala gaya tha, Magar Nabi ﷺ ki Hayaat e Tayyaba tak waapas na gaya tha,*

*★_ Kuchh Arsa ke baad Asqaf Abu Al Haaris jo Girja ka imaam tha aur Qustuntuniya ke Romi Baadshah uska Nihayat adab aur Ahatram kiya karte they aur Aam log aksar karamaat vagera uski zaat se mansoob kiya karte they aur ye Shakhs apne mazhab ka mujtahid Shumar hota tha, Nabi ﷺ ki khidmat me pahuncha, Baqi 24 mash'hoor Sardaar aur they, Kul Qafila 69 Sawaro ka tha, Ye Asar ke waqt Masjide Nabvi ﷺ me pahunche they, Wo unki Namaz ka waqt tha ( Galiban itwaar ka Din hoga) Nabi ﷺ ne unko Apni Masjid me Namaz padhne ki ijazat farma di thi aur unhone Masjid se Mashriq ki jaanib Rukh kar ke Namaz ada ki thi k baaz Musalmano ne unhe Masjide Nabvi ﷺ me Iysaa'i Tareeqe per Namaz padhnae se rokna chaha tha magar Aan Hazrat ne musalmano ko mana farma diya tha _,"*

*★_ Yahoodi bhi unhe dekhne ke liye aate they aur kabhi kabhi kisi masle me Guftgu bhi ho Jaya karti thi, ek dafa Nabi ﷺ ke saamne Yahoodiyo ne bayan kiya k Hazrat Ibrahim Alaihissalam Yahoodi they aur un Iysa'iyo ne kaha k Wo Iysaa'i they, is bahas per Quran Majeed ki Ayaat ( Aale imraan - 65-68) ka nuzool hua:-*
*"_ ( Tarjuma)_ inse kaho k Ey Kitaab Walo ! Ibrahim Alaihissalam ke bare me kyu jhagda karte ho, Toraat aur injeel to uske baad utri hai'n, Jin baato me Tumhare paas kuchh ilm nahi us bare me Allah jaanta hai aur Tum ilm nahi rakhte usme to jhagadte hi they magar jis bare me kuchh bhi ilm nahi usme jhagda kyu karte ho, Ibrahim Alaihissalam Yahoodi tha, Na Iysaa'i tha, Wo Pakka Mohid tha aur Musalman tha aur Wo mushrik na tha, Sab Khalqat me Ibrahim Alaihissalam se qareeb tar wo hai'n Jinhone uska itteba kiya aur Muhammad ﷺ Nabi ka aur Un per imaan rakhne wale log, Haa'n Allah Momineen ka Dostdaar hai _,"*
[2/23, 7:54 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Dafa Yahoodiyo ne ( Musalmano per aitraaz ki Garz se ) kaha - Muhammad ﷺ ! Kya Aap ye chahte hai'n k hum Aapki bhi ibaadat karne lage jesa k Iysaa'i Iysaa Alaihissalam ki ibaadat kiya karte hai'n, Najraan ka Ek Iysaa'i bola - Haa'n Muhammad ﷺ! Bata dijiye, Kya Aapka yahi iraada hai aur isi Aqeede ki dawat Aap dete hai'n, Nabi ﷺ ne farmaya :- Allah ki panaah, Mai'n Allah ke Siva aur kisi ki ibaadat karu'n ya kisi doosre ko Gairullah ki ibaadat ka hukm du'n, Allah ne mujhe is kaam ke liye nahi bheja aur mujhe esa hukm bhi nahi diya gaya _,"*

*★_ Is Waqie per Quran Majeed me Surah Aale imraan 79-80 Aayaat ka nuzool hua:-*
*"_( Tarjuma) Jis Bashar ko Allah kitaab aur hukm aur Nabuwat inaayat kare ye uski Shayaan nahi k fir wo Logo'n se kehne lage k Allah ke Siva mere bande ban jao, Wo to yahi kaha karta ha k Kitaab E ilaahi ko seekh kar aur Shari'at ka Dars pa kar Allah Wale ban jao, Ye bhi to nahi kehta k Farishto ko ya Nabiyo'n ko Rab bana lo, bhala wo Kufr ke liye keh sakta hai Tum Logo'n ko jo islam la chuke ho _,"*

*★_ Muhammad bin Suhel Raziyallahu Anhu ki Rivayat me hai k Aale imraan ki Shuru se 80 Ayaat tak ka Nuzool bhi isi Wafad ki mojoodgi me hua tha, Jab wo waapas jane lage to Aan Hazrat ﷺ se fir ek Sanad unhone haasil ki, Jisme girjao'n aur Paadriyo ki baabat zyada Sarahat thi, is farman ki poori naqal zel me darj ki jati hai :-*
*"_ Shuru Allah ke Naam se Jo bada Raham wala hai, Ye Tehreer Muhammad Nabi ﷺ ki jaanib se hai, Asqaf Abul Haaris ke liye Najraan ke digar Asqafo, Kaahino, Raahibo unke Aqeede walo, Gulamo us Mazhab walo, Police walo ke mutalliq aur un Kam ya zyada Cheezo ke mutalliq Jo unke haath me hai'n, Sabko Allah aur Rasool ki hifazat haasil hogi, Girja ke chhote bade Ohdedaaro me se kisi ko badla na jayega, Kisi ke haq me ya Akhtyaraat me dakhal nahi diya jayega, Unki mojooda haalat ko badla na jayega basharte k Ri'aaya ke khayr Khwah Khayr Andesh rahe, na zulm ka saath de'n aur na khud zulm kare'n _," ( Tehreer - Mugira bin Shoba)*

*★_ Chalte waqt unhone darkhast ki k ek Amanatdaar Shakhs ko hamare saath bhej dijiyega jise Jizya ada kar diya kare'n, Nabi ﷺ ne Abu Ubaida bin Jarrah Raziyallahu Anhu ko unke saath bhej diya, aur farmaya k ye Shakhs meri ummat ka Ameen hai _,"*.
*"_ Abu Ubaida Raziyallahu Anhu ke Faizan e Sohbat se ilaaqe me islam fail gaya _,"*
[2/24, 6:29 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(26)_ Wafad Nakha'a Ka Bayan :- Ye Wafad Nisf Ramzan mahe Muharram 11 Hijri ko Khidmate Nabvi ﷺ me haazir hua tha, iske baad koi Wafad haazir nahi hua, Ye 200 Shakhsh they aur Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu ke haath per imaan le kar aaye they, unko Darul Ziyafa ( Mehman Khna ) me utara gaya tha, Ek Shakhs inme Zarara bin Amru Raziyallahu Anhu they, Unhone arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! Maine Raaste me khwab dekhe Jo Ajeeb they, Nabi ﷺ ne farmaya - Bayan karo,*

*★_ Ek Khwab aur uski Tabeer :- Kaha maine dekha k ek Bakri ne bachcha diya hai Jo Safed aur Syaah Rang ka Albaq ( Do Rang ka ) hai, Nabi ﷺ ne puchha - Kya Tumhari Aurat ke bachcha hone wala tha, Usne kaha - Haa', Nabi ﷺ ne farmaya k uske farzand paida hua hai, Jo tera Beta hau, Zarara ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ Albaq hone ka kya ma'ane hai ? Nabi ﷺ ne farmaya - qareeb aao, fir Aahista se puchha - kya tumhare Jism per bars ke daag hai'n Jise Tum Logo'n se chhupate rahe ho, Zarara Raziyallahu Anhu ne Qasam hai us Allah ki jisne Aap ﷺ ko Rasool bana kar bheja hai k Aaj Tak mere is Raaz ki kisi ko ittela na thi, Nabi ﷺ ne farmaya - bachche per ye isi ka Asar hai _,"*

*★_ Doosra Khwab aur uski Tabeer:- Zarara Raziyallahu Anhu ne doosra khwab sunaya k Maine Noman bin Manzar ko dekha k goshware ( Kaan ka Baala ) Baazuband, Khalkhaal ( Pazeb ) pehne hue hai, Nabi ﷺ ne farmaya - iski Taveel mulke Arab hai jo Ab Ashaa'ish aur Araa'ish haasil kar raha hai _,"*

*★_ Teesra Khwab aur uski Tabeer:- Zarara Raziyallahu Anhu ne arz kiya k Maine dekha k ek Budhiya hai jiske kuchh baal Safed aur kuchh Syaah hai aur Zameen se bahar nikli hai, Nabi ﷺ ne farmaya - Ye Duniya hai Jis qadar baqi reh gayi hai _,"*

*★_ Chotha Khwab aur uski Tabeer:- Zarara Raziyallahu Anhu ne arz kiya - maine dekha k ek Aag Zameen se namudaar hui mere aur mere bete Umar ke darmiyan aa gayi aur wo keh rahi hai Jhulso Jhulso, Beena ho Ya Nabeena ho, Logo'n Apni Giza, Apna Kunba, Apna Maal mujhe khane ke liye do, Nabi ﷺ ne farmaya - Ye ek Fasaad hai jo Aakhir Zamane me zaahir hoga, Zarara Raziyallahu Anhu ne arz kiya k ye kesa Fitna hai ? Nabi ﷺ ne farmaya - Log Apne imaam ko qatl kar denge, Aapas me foot pad jayegi, Ek doosre se guth jayenge Jese Haatho ki ungliya'n panja daalne me guth jati hai'n, Badkaar un dino Apne Aapko nekukaar Samajhega, Momin ka khoon Pani se bad kar khush gawaar samjha jayega _,"*
*"_ Agar Tera beta mar gaya to tu is Fitne ko dekh lega, Tu mar gaya to Tera beta dekh lega, Zarara Raziyallahu Anhu ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ Dua kijiye k Mai'n us Fitne ko na dekhu, Rasulallah ﷺ ne Dua Farmayi - Ya ilaahi ye us Fitne ko na paye, Zarara Raziyallahu Anhu ka inteqal ho gaya aur unka beta bacha raha, Usne Sayyadna Usman Raziyallahu Anhu ki Bayt ko tod diya tha _,"*.
*( Zaadul Ma'ad-3/ 686 - 688, ibne Sa'ad -1/246)*
[2/25, 4:58 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Madina Munawwara me 10 Saala Qayaam Nabivi ﷺ ke Aham Waqiaat :-*
*"_ Nabi ﷺ jab Makka se nikal kar Madina Munawwara pahunche to Abhi itminaan se qayaam bhi nahi kiya tha k Dusmanane Makka ne Lagataar Saazisho, Hamlo, Ladaiyo, se Nabi ﷺ aur Huzoor ﷺ ke haath per Bayt karne walo ko pareshan karna shuru kar diya, is baab me un Aham Waqiaat ka Mukhtsar zikr kiya jata hai Jo Madina me Qayaam ke dauraan hue, Maine Khulasa ke liye qariban har Saal ke mutalliq ek Waqia zaroor qalam band kiya hai, is baab per gor karne se Qara'ien ko Seerat E Paak Aan Hazrat ﷺ ke mutalliq bahut si baate maloom hongi, Jinke Mutabiq zarurat hai k Ummat Apna Ravayya durust kare _,"*

*★_ Tameer Masjide Nabvi ﷺ :- Masjide Nabvi ﷺ jis Jagah banayi gayi hai Nabi ﷺ ki ountni khud ba khud us jagah aa kar beth gayi thi Jab Aan Hazrat ﷺ Makka se Madina Tashreef laye they, Ye Jagah Do Yateem Ladko ki thi jo Asad bin Zarara Raziyallahu Anhu ( Naqeeb E Muhammadi ﷺ ) ki Tarbiyat v nigrani me they, Asad Raziyallahu Anhu ne pehle se Yaha'n Namaz ki Mukhtsar si jagah bana rakhi thi _,"*

*★_ Jab Nabi ﷺ ne Masjid ke liye is jagah ko pasand farmaya to un Yateem Ladko ne qeemat lene se inkaar kiya aur Qabila Banu Tijaar ne chaha k uski qeemat ada karne ki ijazat unhe mil jaye, Nabi ﷺ ne dono baate manzoor na farmayi, Zameen ki qeemat 10 dinaar tay hui aur Nabi ﷺ ne Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se ye qeemat dila di aur fir Zameen ko Hamwaar v Durust kar ke Masjid banayi gayi Jiska Tol 100 gaz tha,*

*★_ Masjid ki Tameer me Nabi ﷺ Ei'nt Patthar khud bhi utha kar late they aur Zuban Mubarak se farmate they, ilaahi Zindgi to Aakhirat hi ki hai, Tu Ansar aur Muhajireen ko bakhsh de _,"*
*"_ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum bhi Ei'nt Gaara late they aur ye Shayr Rajiz me padhte they:- Rasulallah ﷺ Kaam Kare'n aur Hum bethe rahe ye badi gumrahi ka kaam hai_,"*

*★_ Masjid ki Diwaare jo kachchi Ei'nto ki thi, Teen gaz buland thi, Khajoor ke Tane Sutoon ki jagah aur Khajoor ke Patte Kadi Shehteer ki jagah daale gaye they, Sahaba Raziyallahu Anhum ne kaha - Chhat daal le'n to Achchha hai _, Nabi ﷺ ne farmaya - Nahi, Moosa Alaihissalam jesa Areesh ( ghaa'ns foo'ns) khoob hai, Ye Chhat esi thi k Agar Baarish ho jati to Pani tapakta, mitti girti, Farah keechad sa ho jata, Momineen us per sajda kiya karte _,"*
[2/26, 7:28 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abdullah bin Salam Raziyallahu Anhu ka islam Lana ( 1 Hijri)_,*
*"_ Hazrat Abdullah Yahood ke bade faazilo me se hai'n, Yusuf Siddiq Alaihissalam se unka Nasab milta hai, Unhone Nabi ﷺ ko waaz karte hue sun liya aur Alfaz yaad kar liye they:- "_Logo'n Apne Begane Sabko Salam Kiya Karo, Khana Khilaya karo, Qarabat Daaro se Achchha bartaav rakho, Raat Ko jab Log So rahe Ho'n Tum Allah ki ibaadat kiya karo _,"*

*★_ Ye Dilnasheen Kalmaat Sun kar unka qalb Noor E islam se Roshan ho gaya, Nabi ﷺ ke halaat per gor kiya to pehle Nabiyyo ki kitaabo ki peshgoiyo Ko Zaate Mubarak ke muwafiq paya, Nabi ﷺ ki khidmat Mubarak me aaye aur chand mushkil mushkil Masa'il jinki baabat unka khayal tha k Nabi Allah ﷺ hi unka jawab de sakte hai'n daryaft kiye, Jawab ba Sawab sun kar kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Mai'n Huzoor ﷺ per imaan le aaya hu'n lekin izhaar E islam ke liye chahta hu'n k Awwal meri Qaum ke Logo'n ko bula kar daryaft farmaya jaye k unki Raay mere liye kya hai _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Aqabire Yahood ko talab farmaya, Abdullah bin Salam Raziyallahu Anhu chhup gaye they, Aan Hazrat ﷺ ne unse puchha - Abdullah bin Salam tumhari Qaum me kese hai'n,. Sabne kaha- Wo Aalim bin Aalim hai, Sayyad bin Sayyad aur Hum sabse behtar Ha'in, Yahoodi ye keh hi rahe they k Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu oat se kalma tayyaba padhte hue saamne aa gaye, Jab Yahoodiyo ne dekha k Musalman ho gaye hai'n to us waqt kehne lage k Tu Jaahil bin Jaahil, Zaleel bin Zaleel Shakhs hai aur Hum Sabse badtar hai _,"*

*★_ Rab E Kareem ne us Buzurg Sahabi Raziyallahu Anhu ke islam se Jumla Yahood per Apni Hujjat qaa'im farma di _,"*
*"_ Hazrat Abdullah bin Salam Raziyallahu Anhu ke baad Abu Qais Surma bin Abi Anas Raziyallahu Anhu ne bhi islam qubool kiya, Ye Iysaa'i Mazhab Raahib Nihayat Faseeh Shayar v Waa'iz aur ilaahiyaat ke Faazil they, is Buzurg ke islam se Rab E Raheem ne Jumla Nasara per Hujjat qaa'im farma di _,"*
[2/27, 7:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Namaz :-*
*"_ Awwal Hijrat me Farz Namaz me Do Raka'at ka izafa hua, Do Raka'ate Safar ke liye muqarrar ki gayi aur Hazar me Namaz Zuhar v Asr v isha ke liye Chaar (4) Raka'ate kar di gayi'n, Ayyame qayaam E Makka me Do hi Raka'at ka hukm raha tha, Jab Ye khayal kiya jata hai k Makka me Kyu'n kar har ek musalman islam late hi Gareebul Watan ban jata tha, Kyu'nki Aqarib v Ahbaab usse begane v Gair ban jate they aur Kyu'n kar har ek Musalman har waqt Makka ke chhod dene per Amaada aur Tayyar rehta tha to hum keh sakte hai'n k Makka me Sab Musalman Musafirana hi rehte they aur Yahi vajah hai k Rab E Kareem ne bhi unki Madina me pahunch jane ke baad hi muqeem tasleem farmaya _,*

*★_ Namaz islam ka Wo Rukn hai Jo Musalman per sabse pehle farz hota hai, Saat (7) Baras ke bachche ka namaz padhna mustahab hai aur Das (10) baras ke bachche ka padhna farz hai aur sabse Aakhir tak farz rehta hai Yani ( Poori umr ) Namaz ki farziyat Sahat v Bimaari, Khushi v Gam, Safar v Hazar aur Khof v khatar Garz kisi haalat me bhi Musalman se Saaqit nahi hoti, Khwah hum garam tar mulk me ho ya Sard se sard tar mulk me, Kisi jagah bhi koi Mausam koi Aariza ( Dukh Takleef) esa nahi jo musalman ko Namaz ki maafi deta ho_,"*

*★_Muddat e Umar tak ibaadat e ilaahi ki mudawmat rakhna Kamaal e istaqlaal ka mazhar hai, Har Roz panjgana Namaz ke Auqaat ki hifazat rakhna, Pabandi Awqaat ki Zabardast taleem hai, Jism aur Libaas aur Makaan ko najasat v Aloodgi se paak v Saaf rakhne ka Ahatmam Sahat Jismani ke qayaam ki behatreen Tadbeer hai, Dil v zubaan, A'aza v dimaag ko Azmate ilaahi aur Jalaale Kibriya'i ke saamne Mo'dab v Muhazzab rakhna, Nooraniyat Roohani ke liye Ajeeb Roshni hai,*

*★_ Namaz me jis qadar pabandi hai wo jald So jane aur Jald jaag uthne ki jis tarah taleem deti hai, wo jis tarah ek Time Table ko Apne maathat kar leti hai, isse bhi ye maloom hota hai k islam me Shehwani v Nafsani Khayalaat Ko namaz ke zariye kese malyamet kiya gaya hai, Namaz ke liye Masjid ki haazri aur Jama'at ki pabandi Tamddun aur Taraqqi ki jaan hai, ittehad v yagangat aur tabadla Khayalaat ka paak tareen zariya hai, Ek Jaahil bhi bahut si baate Nazeer v Namoona se seekh sakta hai aur Ek Aalim ba Asaani Tableeg kar sakta hai, Ek Ameer gareeb ke dosh badosh khada ho kar musawaat v barabari ka sabaq leta hai aur gareeb Ameer ke barabar beth kar Sachche Deen ke insaaf se Apni Rooh ko khush kar sakta hai_,*

*★_ Jo log Namaz chhod dete hai'n, Ya Masjid ki Haazri aur Jama'at ki pabandi me susti karte hai'n, wo in Akhlaqi faza'il se mehroom rehte hai'n aur ye Zaahir hai k jis Qaum ke fard ese A'ala Akhlaq se khaali ho'nge wo kya ho'nge, Allah Ta'ala ne farmaya ( Surah AnKaboot -45) :- Namaz, Namaz padhne walo ko napaak kaamo aur Laa'iq inkaar kaamo se rok deti hai aur Allah ke zikr me Fawa'id v Fuyooz Anwaar v israar isse bhi bahut zyada aur badh kar hai'n _,"*

[2/28, 7:33 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Muwakhaat (Bhai Chaara ):-*
*"_ Allah Jal Jalaalhu ne Ek Musalman ko doosre Musalman ka Bhai batlaya hai aur Yu'n irshad farmaya hai ( Surah Aale imraan- 103):-*
*"_( Tarjuma) Aur Tum sab Allah ke Fazal se Bhai Bhai ban gaye, Tum log to Aag ke ghade ke kinaare per they, Jisse Allah ne tumhe Nijaat v Khalasi inayat ki _,"*

*★_ (1)_ is Ukhuwat ka Asar ye tha k Ek Musalman kisi mukhalif Qaum se Muahida kar leta tha aur Kul Qaum us Muahide ki Kaamil pabandi karti thi, Ek Musalman agar kisi door daraaz mulk me chala jata tha to tamaam Qaum uski khayro Aafiyat ke liye betaab rehti thi aur agar wo kisi Zulm ka shikaar ho jata to tamaam Qaum uske intezam aur khoon baha lene ko Apna Aala farz jaanti thi, Qaum ke har ek Yateem, har ek Bewa, har ek Talibe ilm ki Zaruriyaat ka poora karna har Musalman Apne liye esa hi farz samajhta tha jesa Apni Aulaad aur Maa'n Jaaye Bhai ki Aulaad v Bivi ke liye Samajhta tha _,"*

*★_(2)_ is Ukhuwat se badh kar ek aur Ukhuwat jise Nabi ﷺ ek ek Shakhs ke saath qaa'im farmaya karte they, Esi Ukhuwat Makka me Ahle Makka ke darmiyan aur Madina me Muhajireen v Ansar ke darmiyan bhi qaa'im farmayi gayi thi, Jo Muwakhaat Muhajireen v Ansar ke darmiyan qaa'im hui wo zyadatar mash'hoor hai _,"*
[2/28, 7:48 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Is Muwakhaat ke baad Bahami Talluqaat ka Asar Yaha'n tak hua k ek Bhai doosre Bhai ki Virasat me hissa leta tha, Aur Bhai banne se pehle ghanta baad Ameer Bhai Gareeb Bhai ko Apni tamaam manqula v Gair manqula jaaydaad ka Nisf Taqseem kar deta, Mo'rkheen ne in buzurgo ke naam bhi darj kiye hai'n jinme ye silsila Muwakhaat Mustahqam ( qaa'im) kiya gaya tha, Hum Tabarrukan Chand Asma Mubarak darj karte hai'n:-*

*★_ Muhammad ﷺ - Ali Raziyallahu Anhu,*
*"_ Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu - Khaarja bin Zaid Raziyallahu Anhu Uqabi Badri*
*"_ Umar Farooq Raziyallahu Anhu - Utbaan bin Maalik Raziyallahu Anhu Badri,*
*"_ Usman Zulnooren Raziyallahu Anhu- Aus bin Saabit Uqbi Raziyallahu Anhu Badri,*
*"_ Jaafar bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu Haashmi - Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu Uqbi Badri,*
*"_ Abu Ubaida bin Jarrah Raziyallahu Anhu- Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu Uqbi Badri,*
*"_ Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu- Sa'ad bin Rabi'a Raziyallahu Anhu Uqbi Badri,*
*"_Zuber bin Awaam Raziyallahu Anhu- Salma bin Salama Raziyallahu Anhu Uqbi,*
*"_ Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu- Ka'ab bin Maalik Raziyallahu Anhu Uqbi,*
*"_ Saied bin Zaid Raziyallahu Anhu- Abu Ayyub Raziyallahu Anhu Uqbi Badri,"*.
*"_ Mus'ab bin Umair Raziyallahu Anhu- Uba'i bin Ka'ab Raziyallahu Anhu Uqbi Badri,*
*"_ Abu Huzaifa Raziyallahu Anhu bin Utba - ibaad bin Bashar Raziyallahu Anhu,*
*"_ Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu - Huzefa bin Yamaan Raziyallahu Anhu,*.
*"_ Salman Faarsi Raziyallahu Anhu - Abu Darda Raziyallahu Anhu Hakeemul Ummat,*
*"_ Manzar bin Umar Raziyallahu Anhu - Abuzar Gifaari Raziyallahu Anhu _,"*

*★_ Duniya me Ukhuwat ( BrotherHood) ka esa Aala Namoona islam ke Siva kisi aur jagah nazar nahi aata _,"*
[3/1, 7:45 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Azaan :- 2 Hijri me Azaan Ka Tareeqa jaari hua :-*
*"_ Azaan ki zarurat Awwal isliye Mehsoos hui k Sab log mil kar ek waqt per Namaz ada kar sake'n, Mashwara Talab Amr ye tha k Logo'n ko jama karne ke waaste konsa Tareeqa Akhtyar kiya jaye, Kisi ne Mashwara diya k Buland muqam per Aag Roshan kar di Jaya kare ( Jesa k Majoos me dastoor tha) Kisi ne Mashwara diya k Seeng ( Bigul ) bajaya jaye ( Jesa k Yahood ka mamool tha ) kisi ne Mashwara diya k ghante bajaye Jaya kare'n ( Jesa k Nasaara karte they)_,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne kisi Mashware ko pasand na farmaya, Doosre din Abdullah bin Zaid Raziyallahu Anhu Ansari aur Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne yake baad digare Nabi ﷺ se aa kar arz kiya k Unhone khwab me in Alfaz ko suna hai ( Jo Ab Azaan me kahe jate hai'n), Nabi ﷺ ne inhi Alfaz ko ba Awaaz buland pukarne ko mashroo farma diya, Ye Alfaz Nabi ﷺ ke us mansha Aali ko poora karte hai'n Jo Tashreeh Ahkaam me hamesha Manzoore Nazar Aqdas raha hai _,"*

*★_ Azaan ittela dene ka wo saada aur Asaan Tareeqa hai k Aalamgeer mazhab ke liye esa hi hona zaroori tha, Azaan dar Haqeeqat Usoole islam ki isha'at aur Elaan hai, Musalman iske zariye se har Abaadi ke qareeb jumla Bashindo ke kaano tak Apne Usool pahuncha dete aur Raahe Nijaat se Agaah kar dete hai'n, Azaan Saabit karti hai k islam ne "Gho'ngho" aur "Dhaatuo" ko insaani Awaaz per tarjeeh nahi di aur ye bhi ek Tareeqa But Parasti ke insdaad ( rokne ) aur Toheed ki Taa'iyd ka hai _,"*
[3/3, 6:47 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Salman Faarsi Raziyallahu Anhu ka islam :-*
*"_ 2 Hijri me Salman Faarsi Raziyallahu Anhu Musalman hue, Ye Asfahan ke Bashinde they, inke purane Mazhab me "Ablaq" ghode ki paristish ki jati thi, Deen E Haq ki talash me Ghar se nikle aur Arab tak aaye Kisi ne inko pakad kar gulam bana kar bech diya tha, 10 se Mazahib ke baad ye Yahoodi Mazhab me dakhil ho gaye they_,"*

*"_ Jis Yahoodi ke paas raha karte they wo Aksar Ek paida hone wale Nabi ke Awsaaf bayan kiya karta tha, Jab Hazrat Salman Faarsi Raziyallahu Anhu ne Madina me Nabi ﷺ ko dekha to un Alamaat v Aasaar v Akhbaar se jo Apne Aaqa se sune they Aan Hazrat ﷺ ko pehchan liya aur Musalman ho gaye aur Mulk Faaras ka pehla phal kehlaye _,"*
[3/4, 4:39 PM] Haqq Ka Daayi Official: *"★_ Tahveel E Qibla _,"*
*"_ Nabi ﷺ ki Aadat Mubarak ye thi k jis bare me Koi Hukme ilaahi mojood na hota, Usme Ahle Kitaab se muwafqat farmaya karte, Namaz Aagaze Nabuwat hi me Farz ho chuki thi magar Qibla ke mutalliq koi hukm naazil na hua tha, isliye Makka ki 13 Saala Aqamat ke arse me Nabi ﷺ ne Baitul Muqaddas hi ko Qibla banaye rakha, Madina me pahunch kar bhi yahi Amal raha _,"*

*★_ Magar Hijrat ke doosre saal ( Ya 17 maah baad ) Allah ne is bare me hukm naazil farmaya, Ye Hukm Nabi ke dili mansha ke muwafiq tha, Kyunki Aan Hazrat ﷺ Dil se chahte they k Musalmano ka Qibla Wo Masjid banayi jaye jiske baani Hazrat Ibrahim Alaihissalam they, Jise Muq'ab Shakl ki imaarat hone ki vajah se Kaaba aur Sirf ibaadat E ilaahi ke liye banayi jane ki vajah se "Baitullah " aur Azmat v Hurmat ki vajah se "Masjid Al Haraam" kaha jata tha _,*

*★_ is Hukm me Jo Allah Paak ne Qur'an Majeed me naazil farmaya hai Ye bhi bataya gaya hai k Allah paak ko jumla jihaat ( Simt ) se yaksa nisbat hai:-*
*"_ Aur Mashriq v Magrib sab Allah hi ka hai, To jidhar tum rukh karo udhar Allah ki zaat hai _,"( Surah Baqrah - 115)*
*"_ Aur ye bhi bataya gaya k ibaadat ke liye kisi na kisi taraf ka muqarrar kar Lena insaani nizaam me jaari rahi hai:-*
*"_Aur Har ek ( Firqe ) ke liye ek Simt muqarrar hai, Jidhar wo ( ibaadat ke waqt ) Moo'nh kiya karte hai'n, To tum Nekiyo'n me Sabqat Haasil karo tum Jaha'n honge Allah tum sabko jama karega, beshak Allah har cheez per qaadir hai _,( Surah Baqrah-148)"*

*★"_ Aur ye bhi bataya gaya hai k kisi taraf moonh karna Asal ibaadat se kuchh Talluq nahi rakhta :-*
*"_Neki ye nahi k tum Mashriq v Magrib ( ko Qibla samajh kar un ) ki taraf Moo'nh kar lo_,"*
*"_ Aur ye bhi bataya gaya k Taien Qibla ka bada maqsad ye bhi hai k Muttabaiyn Rasool ﷺ ke liye ek mumez Alamat qaraar di jaye :-*
*"_k hum maloom kare k kon ( hamare ) paigambar ka Taabe rehta hai aur kon ulte Paa'nv fir jata hai _," ( Surah Baqrah - 143)*
[3/5, 7:29 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Yahi vajah thi k Jab Tak Nabi ﷺ Makka me rahe us waqt tak Baitul Muqaddas Musalmano ka Qibla raha, Kyu'nki Mushrikeen Makka Baitul Muqaddas ke Ahatram ke Qaa'il na they aur Kaaba ko to unhe khud hi Apna bada Ma'abad bana rakha tha, isliye Shirk chhod dene aur islam qubool karne ki Heen Alamat Alamat maaka me yahi rahi k Musalman hone wala Baitul Muqaddas ki taraf moo'nh kar ke Namaz padha kare _,*

*★_ Jab Nabi ﷺ Madina pahunche waha'n zyadatar Yahoodi ya Iysaa'i hi abaad they, Wo Makka ki Masjid Al Haraam ki Azmat ke Qaa'il na they aur Baitul Muqaddas ko to wo Bait ieel ya Heekal tasleem karte hi they, isliye Madina Munawwara me islam qubool karne aur Aaba'i mazhab chhod dene ki Alamat ye thehrayi gayi k Makka ki Masjid Al Haraam ki taraf moo'nh kar ke Namaz padhi Jaya kare, Hukme ilaahi ke Mutabiq yahi Masjid hamesha ke liye Musalmano ka Qibla qaraar di gayi, is Masjid ko Qibla qaraar dene ki vajah Allah Ta'ala ne khud hi bayan farma di hai :-*
*"_ Ye Masjid Duniya ki sabse pehli imarat hai jo ibadate ilaahi ki Garz se banayi gayi_," ( Aale imraan-96)*

*★_ Chu'nki ise Purane zamane se Tareekhi Azmat haasil hai, isliye isko qibla banaya jana munasib hai, Masjide haraam ke baani Hazrat Ibrahim Alaihissalam hai'n aur Hazrat Ibrahim Alaihissalam Yahoodiyo aur Iysa'iyo aur Musalmano ke Jadde Aali hai'n, isliye in Shandaar Qaumo ke Buzurgo ki masjid ko Qibla qaraar dena Goya Teen Qaumo ka ittehad e nasbi v Jismani ki yaad dila kar ittehad e Roohani ke liye dawat dena aur muttahid ban jane ka paigam ( poore poore Deen me dakhil ho jao ) suna diya tha _,"*
*"_ Hume Yaqeen hau k Kaaba ke Pehle Zamane se muqaddam hona aur Tareekhi Azmat ka inkaar koi mazhab bhi nahi kar sakta, Yahoodi aur Iysaa'i bhi muttafiq hai'n _,"*
[3/6, 6:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: *"★_Zakaat aur Tamaddun e insani ( Ma'shrat )_,*
*"_Economics aur Political Economy Ka Sabse Mashikil Masla ye hai k Qaum me Ameer aur Gareeb me kese tanasub ( barabari) qaa'im kiya jaye, Hakeem Solon ke zamane se le kar Aaj tak koi insani dimaag is Aqeede ka hal nahi dhoo'nd saka, Qur'an Majeed ne is bare me pehle se faisla kar diya:-*
*"_ ( Tarjuma) Rizq me Allah ne ek ko doosre per bartari di hai aur jinko wo bartari mili hai wo Apna hissa un logo ko jinke wo maalik ho chuke hai'n ( isliye ) waapas na karenge k sab Aapas me barabar ho jaye'n_," ( Surah Nahal 71 )*

*★_ Islam ne Jo Musalmano ko Duniya ki behatreen Mazhabi Qaum banana chahta hai is Masle per Tavajjo ki aur ise hamesha ke liye Tay kar aur isi ka naam Farziyat E Zakaat hai, Zakaat 2 Hijri me Musalmano per Farz hui, Nabi ﷺ ka Nek aur Raheem Dil pehle hi Miskeeno ka Hamdard, Gareebo per Raham karne wala, Dardmando ka Gamgusaar tha aur islam me Shuru se hi Masakeen aur Gurba ki dastgeeri per Musalmano ki Khususiyat se Tavajjo dilayi jati thi, Unki Hamdardi ko Gurba ka Rafeeq banaya jata tha aur Musalman is Paak taleem ki badolat Gurba v Masakeen ke liye bahut kuchh Kiya bhi karte they _,"*

*★_ Fir bhi esa koi qa'ida muqarrar na tha Jis per Bator Aa'ine Zaabte ke Amal kiya jata ho, isliye Daulatmand jo kuchh bhi karte they Apni Fayyazi v Neki dili se karte they, Allah Ta'ala ne Zakaat ko farz aur islam ka teesra Rukn ( Kalma Shahadat aur Namaz ke baad) qaraar diya, Zakaat dar Haqeeqat us Sifte Hamdardi v Raham ke ba qaa'ida istemal ka naam hai jo insaan ke Dil me Apne Abna E jins ( insaan ) ke saath qudratan v fitratan mojood hai _,"*
[3/7, 6:46 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_'Zakaat ada karne ada karne wale ko ye fayda bhi hota hai k Maal ki muhabbat, Akhlaqe insani ko Magloob nahi kar sakti aur Bukhl v Amsaak ( Kanjoosi) ke Ayb se insaan paak rehta hai aur ye fayda bhi hai k Gurba v Masakeen ko wo Apni Qaum ka juzv samajhta hai aur isliye behad daulat ka jama ho jana bhi usme Takabbur aur Guroor paida nahi hone deta aur ye fayda bhi hai k Gurba ke Giroh Kaseer ko uske saath ek uns v muhabbat aur uski daulat v sarwat ke saath hamdardi v khair khwahi paida ho jati hai, Kyunki wo uske maal me Apna ek hissa mojood qaa'im samajhte hai'n, Goya Daulatmand Musalman ki daulat ek esi Company ki daulat ki misaal paida kar leti hai jisme Adna v Aala hisse ke hissedar shamil hote hai'n _,"*

*★_ Qaum ko ye fayda hai k bheek maa'ngne ki rasm Qaum se bilkul mafqood ( gayab ) ho jati hai, islam ne Masakeen ka haq Umra ki daulat me ba naam Zakaat Amwal naamiya yani Taraqqi karne wale maalo me muqarrar kiya hai jinme se Ada karna bhi nagwaar nahi guzarta, Amwal naamiya me Tijarat, Zara'at aur Maweshi ( Bhed, Bakri, Ou'nt, Gaay) naqdiyat muawin aur dafa'in Shumar hote hai'n,*

*★_ Ab ye dikhlana zaroori hai k jo naqad v Jins Zakaat se haasil ho uske mustahiq kon kon log hai'n_,"*
[3/8, 6:50 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_( Tarjuma- Surah Tauba- Aayat- 60):- Zakaat v Sadqaat Ka Maal_Faqeero aur Masakeeno ke liye hai ( Faqeer v Miskeen ka Farq Fuqha ki kitaabo me dekhe) aur Un logo ke liye jo Sadqaat ki Vasooli per muqarrar ho ( Jinki Tankhwahe ada hongi ) aur un logo ke liye Jinke dil Afzayi islam me manzoor ho yani Nav Muslim log aur Gulamo ko Azaadi dilane ke liye aur ese Qarzdaro ka qarz chukane ke liye jo qarz na utaar sakte Ho'n aur Allah ke Raaste me ( yani digar Nek kaamo ke liye) aur Musafiro ke liye_,"*

*★_ Jin Aath (8) mado per Zakaat ki Taqseem ki gayi hai isse Zaahir hai k Zakaat ki farziyat se Mulk aur Qaum aur Afraad ki Shaksi Zaruriyaat ko kis khoobi se poora kar diya gaya hai _,"*

*★_ Taqseem E Zakaat ke Number 6 per bhi gor karna chahiye, Haal ke zamane me Qarzdaro ki sahuliyat ke liye Bank qaa'im hai'n Lekin Banko ke qayam ka Natija ye hai k Sainkdo Amlaak gareeb logo ke Qabze se nikal nikal Bank ke paas chali gayi hai aur khaas khaas logo ke siva Awaam me Muflisi v Tangdasti ki Taraqqi ho gayi hai, Qarz ka bila Sood ke milna muhaal ho gaya hai aur inhi mushkilaat ki vajah se baaz Logo ne Sood ke Jaa'iz ki soorte nikalne ki harkate ki hai'n _,"*

*★_ Lekin dekho islam ka Ahsaan k usne Qarz se barbaad hone walo ke bachaav ka kesa Ajeeb intezam kiya hai, Beshak Sood ki Hurmat ka hukm sunana bhi islam hi ka haq hai jisne Qarzdaro ki gulu Khalasi ke liye ese Ajeeb intezamaat bhi kiye hai'n _,"*

*★"_ Ab Zakaat ke mutalliq ye Hadees yaad rakhni chahiye:-*
*"_ Ye Sadqa ka maal logo ki Mel kuchel hota hai, Muhammad ﷺ aur Muhammad ﷺ ke kunbe walo ke liye ye halaal nahi hai _," ( Muslim -754, Kanzul Ummal -7/1650 Ahmad 4/166)*
[3/9, 7:54 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ramzan 2 Hijri Muqaddas ( Farziyat E Ramzanul Mubarak aur Fawa'id):-*
*"_ Ramzan ke Roze bhi Hijrat ke doosre hi saal farz hue aur saal me ek mahine ke Roze rakhna islam ka chotha Rukn qaraar paya, Roze Sahat ko badhate hai'n, Ameer ko Gareeb ki haalat se Amali Tareeqe se ba khabar karte hai'n, Shikam Sero aur Faaqa Masto ko ek Satah per khada kar dene se Qaum me barabari ke usool ko mazbooti milti hai, Qawwat Milkiya ko Qavi aur Quwwat Haiwaniya ko kamzor banate hai'n,*

*★_ Quran Majeed ne khas Tor per bayan farmaya hai k Roze Khuda Tarsi ki Taaqat insaan ke andar muhkam kar dete hai'n ( La Allakum Tattakoon - Taki tum Taqwe Wale ban jao - Surah Baqra - 183)*

*★_ Taqwa ki misaalo per gor kare k Garmi ka mausam hai aur Rozedaar ko Sakht pyaas lagi hui hai Tamaam makan me thanda pani uske Saamne mojood hai magar wo pani nahi pita, Rozedaar ko Sakht bhook lagi hui hai Bhook ki Vajah se jism me Zoaf bhi Mehsoos karta hai Khana mayassar hai koi Shakhs use dekh bhi nahi raha magar wo khana nahi khaata, Pyari Dil pasand Bivi paas mojood hai Muhabbat ke jazbaat uski khoobsurati se tamtama lene ki tehreek karti hai, Ulfat ne dono ko ek doosre ka Shaida bana rakha hai lekin Rozedaar usse Pehlutahi ( doori ) akhtyar karta hai _,"*

*★_ Vajah ye hai k Allah ke Hukm ki izzat aur Azmat uske Dil me is qadar paida ho gayi hai k koi jazba bhi us per gaalib nahi aa sakta aur Roza hi Azmat aur Jalaal e ilaahi ke Dil me qaa'im hone ka Baa'is hua hai, Zaahir hai k jab ek imaandaar Allah ke Hukm ki vajah se Jaa'iz, Halaal, Pakiza khwahishat ke chhod dene ki aadat kar leta hai to ye zaroor Allah ke Hukm ki vajah se Haraam, Na Jaa'iz aur Gandi Aadate v Khwahishat ko chhod dega aur unke irtkaab ki bhi jurrat nahi karega, Yahi wo Akhlaqi bartari hai jiska Rozedaar ke andar paida kar dena aur Mutahkam kar dena Shar'a ka maqsood hai, isliye Hadees Sahi me hai :-*
*"_Jo Rozedaar Jhoot kehna behuda bakna aur behuda fizool kaamo ka karna chhod nahi deta to Allah Ko kuchh parwah nahi hai Agar wo Apna khana pina chhod deta hai _," ( Bukhari -1903)*

*★_ Doosri Hadees me hai Jab koi Shakhs kisi Din ka Roza rakhe to na koi behuda lafz zubaan se nikale na bakwaas aur shor kare aur Agar aur koi Shakhs use gaali de ya usse jhagda kare tab keh de k Mai'n Rozedaar hu'n ( Gaali ka jawab dena jhagadna mujhe Shayaan nahi )*
[3/10, 7:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Roza aur Chaand Ki Tareekhe'n :-*
*"_ Ramzan Ka Mahina Qamri ( Chaand ke ) hisaab per rakha gaya hai, Kyu'nki jab Nisf Duniya per Sardi ka mausam hota hai to Doosre Nisf hisse per Garmi ka mausam hota hai, Qamri Mahina Adal Badal kar aane se Kul Duniya ke Musalmano ke liye musawaat (barabari ) qaa'im kar deta hai lekin Agar koi Shamshi ( Suraj ) Mahina muqarrar kar diya jata to Nisf Duniya ke Musalman Sardi ki Sahulat me aur Nisf Duniya ke Musalman hamesha Garmi ki Sakhti aur Takleef me raha karte aur ye Amr Aalamgeer Mazhab ke Usool ke khilaf hota _,"*

*★_ Roza rakhna Dushwar nahi hai magar Jis Shakhs ke Shehwani Khayalaat Ho'n ya jo Jismani Naaz v Ni'amat hi ko Zindgi ka maqsad Samajhta ho, Uske Liye Roza rakhna beshak gira'n hai, Ramzan ka islam me Farz hona hi saabit karta hai k islam ko kis qadar imaani aur Malkooti Taaqato ko badhane wala aur kis qadar Jismani v Shehwani Khayalaat Ko Mita dene wala hai _,"*

*★_ 3 Hijri ke Maah Ramzan me Sayyadna Hasan Mujtaba Raziyallahu Anhu paida hue, Jo Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu v Fatima Zohra Raziyallahu Anha ke Farzand hai'n _,"*
[3/11, 5:35 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ummul Khaba'is Sharab Ko isalm ne Hara Kiya :-*
*"_4 Hijri ki Barkaat me badi Barkat ye hai k Sharab ki Hurmat ka elaan kiya gaya, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Kuchh log Abu Talha Raziyallahu Anhu ke ghar me bethe they, Mai'n unhe Sharab pila Raha tha, itne me munadi hone lagi k Sharab Haraam ho gayi _,"*
*"_ Abu Talha Raziyallahu Anhu ne Sunte hi keh diya k Jitni Sharab baqi hai, use bahar fai'nk do, us Roz Madina ki gali kooche me Sharab beh nikli _,"*

*★_ Aaj Duniya ke Mukhtalif Mulko me Mukhtalif Qaume Samaj me Sharab bandi Aandolan ke zariye Sharab ko band karne ki koshish me Masroof hai'n, Ye Jumla Qaume islam ki is Taleem ke Ahsaan tale dabi hui hai'n Kyu'nki islam hi wo mazhab hai Jisne Sharab ki Kaleel v Kaseer ( Kam Zyada ) mikdaar ko Haraam mutlaq qaraar diya hai _,"*

*★_ Islam me Sharab Ka Naam "Ummul Khaba'is" ( Buraiyo ki Maa'n) rakha hai, insaan ke jism per, Ravayye per, Akhlaaq per, Mulk ke Aman v intezam per, Qaba'il ke Adaat per, Fauj ki Taaqat aur Quwwat per Jo bura asar Sharab ka Tajurba aur Mushahide me aa raha hau usse waaze hai k Sharab ke liye "Ummul Khaba'is" kesa moju aur zeba naam hai _,"*

*★_ Baaz log islam ki Sadaqat per parda daalne ke liye kaha karte hai'n k islam ne Shehwani Khayalaat Ko Tehreek de kar logo ko islam me dakhil hone ki Tehrees ( Laalach ) dilayi hai, Unko Zara gor karna chahiye k Sharab ko haraam thehrane wala Mazhab kis qadar Shehwani Khayalaat ka dushman hoga aur Jis Mazhab me Sharab hi haraam ho usme dakhil hone se Ayyash Tabiyato ko kitni jhijhak hogi _,"*
[3/12, 7:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Shumama bin Usaal Raziyallahu Anhu Sardaar E Najad ka imaan Lana ( 5 Hijri)_,"*
*"_ Nabi ﷺ ne kuchh Sawaar Najad ki taraf rawana farmaye they, Wo Waapas hote hue Shumama bin Usaal ko giraftaar kar laye they, Fauj walo ne unhe Masjide Nabvi ﷺ ke Sutoono ke saath baandh diya tha, Nabi ﷺ ne waha'n Tashreef la kar daryaft kiya k Shumama kya haal hai ? Shumama ne kaha - Muhammad ﷺ Mera Haal Achchha hai, Agar Aap mere qatl kiye jane ka hukm denge to ye ek khooni ke haq me hoga aur Agar Aap in'aam farmayenge to ek Shukr guzaar per Rahmat karenge aur Agar maal ki zarurat hai to jis qadar chahiye batla dijiye _,"*

*★_ Doosre Roz Nabi ﷺ ne Shumama se fir wohi Sawal kiya - Shumama ne kaha - Mai'n keh chuka hu'n k Agar Aap Ahsaan farmayenge to ek Shukr guzaar per farmayenge, Teesre Roz Nabi ﷺ ne fir Shumama se wohi Sawal kiya, Usne kaha - Mai'n Apna Jawab de chuka hu'n, Nabi ﷺ ne Hukm diya k Shumama ko chhod do _,"*

*★_ Shumama Rihayi pa kar ek khajoor ke baag me gaye jo Masjide Nabvi ﷺ ke qareeb hi tha, Waha'n ja kar Gusl kiya aur Fir Masjide Nabvi ﷺ me lot kar aa gaye aur aate hi Kalma padh liya _,"*
*"_ Shumama Raziyallahu Anhu ne kaha - Ya Rasulallah ﷺ ! Qasam hai Allah ki k Saare Aalam me Aapse zyada kisi Shakhs se nafrat na thi lekin Ab to Aap hi mujhe Duniya me Sabse badh kar pyaare maloom hote hai'n, Allah ki qasam ! Aapke Shehar se mujhe Nihayat hi nafrat thi magar Aaj to mujhe wo Sab muqamaat se pasandidatar nazar aata hai, Wallah ! Aapke Deen se badh kar mujhe aur kisi Deen se Bugz na tha lekin Aaj to Aapka Deen hi mujhe MehboobTar ho gaya hai_,"*

*★_ Shumama Raziyallahu Anhu ne ye bhi arz kiya k Mai'n Apne Watan se Makka ko Umra ke liye ja raha tha, Raaste me giraftaar kar liya gaya tha, Ab Umra ke bare me kya irshad hai, Nabi ﷺ ne unhe islam qubool karne ki basharat di aur Umra ke ada karne ki ijazat farmayi _,"*
[3/13, 7:38 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ Ka Jaani Dushmano se Husne Sulook _,"*
*"_Sumama Raziyallahu Anhu Makka pahunche to waha'n ek Shakhs ne puchha k Tum Sahabi ban gaye, Sumama Raziyallahu Anhu ne kaha - nahi, Mai'n Muhammad Rasulallah ﷺ per imaan laya hu'n aur islam qubool kiya hai aur Yaad rakhna k Mulk Yamama se tumhare paas ek daana Gandum bhi nahi aayega jab tak k Muhammad ﷺ ki ijazat na hogi _,"*

*★_ Sumama Raziyallahu Anhu ne Apne Mulk me pahunchte hi Makka ki taraf aane wala Anaaj band kar diya, Galle ke ruk Jane se Ahle Makka bilbila uthe aur Aakhir Nabi ﷺ se unhe iltija karni padi, Nabi ﷺ ne likh diya k Gandum ba dastoor jane de'n ( Un Dino Ahle Makka Nabi ﷺ ke jaani dushman they)_,"*

*★_ Is qisse se na sirf ye Saabit hua k Nabi ﷺ ne kyu kar Us Shakhs ki jaan bakhshi farmayi jo khud Apne Aapko Wajibul qatl samajhta tha aur na sirf ye Saabit hua k Nabi ﷺ ke Pakiza Halaat aur Akhlaq ka kesa gehra Asar logo per padta tha k Sumama jesa Shakhs jo islam aur Madina aur Aan Hazrat ﷺ se sakht Nafrat v Adawat rakhta tha Teen Roz ke baad ba Khushi khud imaan le aaya tha _,"*

*★_ Nabi ﷺ ki Neki aur Tabiyat ki Paaki v Rahamdili ka Saboot is tarah milta hai k Makka ke Jin Mushrikeen ne Aan Hazrat ﷺ ko Makka se nikaala tha aur Badar, Uhad, Khandak me Ab tak Nabi ﷺ aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko tabaah v barbaad karne ke liye saari Taaqat kharch kar chuke they unke liye Rahmatul Aalameen ﷺ ye pasand nahi farmate k unka Galla rok diya jaye aur unko tang v zaleel kar ke Apna Farmabardaar banaya jaye _,"*
[3/14, 7:39 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Suleh Hudebiya 6 Hijri Muqaddas:-*
*"_ isi Saal Nabi ﷺ ne Apna ek Khwaab Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko Sunaya, Farmaya - Mai'ne dekha Goya Mai'n aur Musalman Makka pahunch gaye hai'n aur Baitullah ka Tawaaf kar rahe hai'n, is Khwab ke sunne se Gareebul Watan Sahaba ko us Shoq ne jo Baitullah ke Tawaaf ka unke Dil me tha, bechain kar diya aur unhone is saal Nabi ﷺ ko Safar e Makka ke liye Amaada kar liya, Madina se Sahaba Kiraam ne Samaan E Jung Saath nahi liya balki Qurbani ke Ou'nt saath liye aur Safar bhi Ziq'ada ke mahine me kiya Jisme Arab Qadeem Rivaaj ki pabandi se Jung hargiz na Kiya karte they aur jiske har ek Dushman Ko bhi bila rok tok Makka me aane ki ijazat hua karti thi _,"*

*★_ Jab Makka 19 Meel reh gaya to Nabi ﷺ ne Muqame Hudebiya se Quresh ke paas Apne aane ki ittela bhej di aur Aage badhne ki ijazat unse chahi, Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu jinka islami tareekh me Zulnooren laqab hai Safeer bana kar bheje gaye, Unke jane ke baad Lashkar islami me ye khabar fail gayi k Quresh ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko qatl ya Qaid kar diya hai, isliye Nabi ﷺ ne us be Saro Samaan Jami'at se jaan nisaari ki Bayt li k Agar ladna bhi pada to saabit qadam rehenge _,"*

*★_ Bayt karne walo ki tadaad 1400 thi, is Bayt me Nabi ﷺ ne Apne Baaye haath ko Usman Raziyallahu Anhu ka Dahina haath qaraar diya aur unki jaanib se Apne Dahine haath per Bayt ki, is Bayt ka haal sun kar Quresh dar gaye aur unke Sardaar ek ke baad ek Hudebiya haazir hue _,"*
[3/14, 5:01 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Amru bin Masoud Raziyallahu Anhu Jo Quresh ki jaanib se aaye they, Unhone Quresh ko Waapas ja kar kaha - Ey Qaum! Mujhe Baarha Najashi ( Badshaah Habsha) Kaisar ( Badshaah Qustuntuniya) Kisra ( Badshaah Iraan) ke darbaar me jane ka ittefaq hua hai magar mujhe koi esa Badshaah nazar na aaya jiski Azmat uske darbaar walo ke dil me esi ho jese Ashabe Muhammad ﷺ ki hai, Muhammad ﷺ thookte hai'n to unka Aabe Dahan Zameen per girne nahi pata, kisi na kisi ke haath per hi girta hai aur Wo Shakhs us Aabe Dahan ko Apne chehre per mal leta hai _,"*

*★_ Jab Muhammad ﷺ koi hukm dete hai'n to tameel ke liye sab mubadrat karte hai'n, Jab Wo Wazu karte hain to Aabe Mustamil Wazu ke liye ese gire padte hai'n Goya ladayi ho padegi, Jab wo kalam karte hain to sabke sab chupchap ho jate hai'n, Unke Dil me Muhammad ﷺ ka itna adab hai k wo unke Saamne nazar utha kar nahi dekhte, meri raay hai k unse Suleh kar lo jis tarah bhi Bane _," ( Bukhari - 4080-4081)*

*★_ Soch Samajh kar Quresh Suleh karne per Amaada hue, Suleh ke liye Mindarja zel Shara'ite tay hui :-*
*(1)_ 10 Saal tak Aapas me Suleh rahegi, Aamado raft me kisi ko rok tok na hogi,*
*(2)_ Jo Qaba'il chahe Quresh se mil jaye aur chahe wo Musalmano ki jaanib shamil ho jaye, Dostdaar Qaba'il ke Huqooq bhi yahi honge _,"*
*(3)_ Agle Saal Musalmano ko Tawaaf e Kaaba ki ijazat hogi, Us Waqt Hathiyar unke jism per na honge, go Safar me saath ho,*
*(4)_ Agar Quresh me se koi Shakhs Nabi ﷺ ke paas Musalman ho kar chale jaye to Nabi ﷺ us Shakhs ko Quresh ke Talab karne per Waapas kar denge lekin Agar koi Shakhs islam chhod kar Quresh se ja mile to use Waapas na karenge _,"*

*★_ Aakhri Shart Sun kar Tamaam Sahaba Bajuz Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ghabra uthe, Umar Farooq Raziyallahu Anhu is bare me zyada pur Josh they Lekin Nabi ﷺ ne Ha'ns kar is Shart ko bhi manzoor farmaya _,"*
[3/14, 5:17 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Muahida Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ne likha tha, Unhone Shuru me likha "Bismillahir Rahmanir Raheem" Suhel jo Quresh ki taraf se Commissioner e Muahida tha bola Ba khuda hum nahi jaante k Rahman kise kehte hai'n, "Bismika Allahumma" likho, Nabi ﷺ ne wahi likh Dene ka hukm diya _,"*

*★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne fir likha- Ye Muahida Muhammad Rasulallah ﷺ aur Quresh ke darmiyan mun'aqd hua hai, Suhel ne is per bhi aitraaz kiya aur Nabi ﷺ ne uski darkhwast per Muhammad bin Abdullah likhne ka hukm diya_,"*

*★"_ Muahide ki Aakhri Shart ki nisbat Quresh ko khayal tha k is shart se dar kar koi shakhs aainda Musalman na hoga lekin ye shart Abhi Tay hi hui thi aur Ahadnaama likha hi ja raha tha dono taraf se Muahide per dastkhat bhi na hue they k Suhel bin Amru ( Jo Ahle Makka ki taraf se Muahide per dastkhat karne ka akhtyar rakhta tha ) ka beta Abu Jundul Raziyallahu Anhu us Jalse me aa gaye,*

*★_ Abu Jundul Raziyallahu Anhu Jo Makka me Musalman ho gaye they Quresh ne unhe Qaid kar rakha tha aur Ab wo moqa pa kar Janjeero samet hi bhaag kar Lashkar e islami me pahunch gaye they, Suhel ne kaha k ise hamare hawale kiya jaye, Nabi ﷺ ne farmaya k Ahadnaame ke Mukammal ho jane per uske khilaf na hoga yani Jab Tak Ahadnaama Mukammal na ho jaye uski Shara'it per Amal nahi ho sakta _,"*
*"_ Suhel ne bigad kar kaha k Tab hum Suleh hi nahi karte, Nabi ﷺ ne hukm diya aur Abu Jundul Raziyallahu Anhu ko Quresh ke supurd kar diya gaya _,"*

*★_ Quresh ne musalmano ke camp me unki Mashke baandhi, Paa'nv me Janjeer daali aur ghaseet kar ke le gaye, Nabi ﷺ ne jate waqt is qadar farma diya tha k Abu Jundul Allah Teri Kusha'ish ke liye koi sabeel ( Raasta ) nikaal dega, Abu Jundul Raziyallahu Anhu ki Zillat aur Quresh ka zulm dekh kar Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke andar Josh aur Taish paida hua magar Nabi ﷺ ka hukm samajh kar Zabt v Sabr kiye rahe _,"*
[3/14, 5:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Hamla karne wale 80 Aadmiyo ko maafi _,"*
*"_ Nabi ﷺ Hudebiya me thehre hue they k 80 Aadmi Kohe Taniym se Subeh ke waqt jabki Sahaba Kiraam Namaz me Masroof they is iraade se utre k inhe Namaz ke andar qatl kar de'n, Ye sab log giraftaar kar liye gaye aur Aan Hazrat ﷺ ne unhe Az Raahe Rahamdili v Afu chhod diya, is Waqie per Qur'an Majeed me is Aayat ka nuzool hua:- (Tarjuma) "Allah Wo hai jisne Waadi E Makka me tumhare Dushmano ke haath tumse rok diye aur tumhare haath bhi ( Un per qaabu pa lene ke baad) unse rok diye _," ( Surah Fatah -24)*

*★_ Barkaat E Muahida :- Algarz ye Safar bahut khayro Barkat ka mojib hua, Aan Hazrat ﷺ ne Muahideen ke saath Muahida karne me Fayyazi Jazm, Doorbini aur Hamlawar Dushmano ki maafi me Afu v Rahmatul Aalameen ke Anwaar ka Zahoor dikhlaya _,*

*★_ Musalman Hudebiya se Madina Munawwara ko Waapas Tashreef le gaye, is Muahide ke baad Surah Fatah ka nuzool Hudebiya me hua tha, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne puchha - Ya Rasulallah ﷺ Kya ye Muahida hamare liye Fatah hai ? Farmaya - Haa'n _",*

*★_ Abu Jundul Raziyallahu Anhu ne zindane Makka me pahunch kar Deene Haq ki Tableeg shuru kar di, Jo koi unki nigrani per mamoor hota wo use Toheed ki Khoobiya'n sunate, Allah ki Azmat v Jalaal bayan karke imaan ki hidayat karte, Allah ki Qudrat k Abu Jundul Raziyallahu Anhu Apne Sachche iraade aur koshish me Kamyaab ho jate aur Wo Shakhs imaan le aata, Quresh is doosre imaan lane Wale ko bhi qaid kar dete, Ab ye dono milkar Tableeg ka kaam usi qaidkhane me karte, Algarz isi tarah ek Abu Jundul Raziyallahu Anhu ke Qaid ho kar Makka pahunch jane ka Natija ye hua k ek Saal ke andar qariban 300 Shakhs imaan le aaye _,"*

*★_ Ab Quresh pachhtaye k humne kyu Ahadnaame me imaan walo ko waapas lene ki shart darj karayi, fir Unhone Makka ke Chand muntakhab Shakhso ko Nabi ﷺ ki khidmat me bheja k hum Ahadnaame ki is Shart se dastbardaar hote hai'n, Ab Nav Muslimo ko Apne paas waapas bula lijiye, Nabi ﷺ ne Muahide ke khilaaf karna pasand na farmaya, Us Waqt Aam Musalman bhi samajh gaye k Muahide ki shart jo Zahiran humko nagawaar thi Uska Manzoor kar lena kis qadar mufeed saabit hua _,"*
[3/18, 9:00 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Musalmano ka Tawaaf E Kaaba jana aur Uske Nata'ij 7 Hijri Muqaddas _,"*
*"_ Muahida Hudebiya ki shart 2 ke Mutabiq Musalman is saal Makka pahunch kar Umra karne ka haq rakhte they, isliye Allah ke Rasool ﷺ Do Hazaar Sahaba Raziyallahu Anhum ko saath le kar Makka pahunche, Makka walo ne Nabi ﷺ ko Makka me aane se to na roka lekin khud gharo ko taala laga kar Abu Qubes ki choti per, jiske niche Makka Abaad hai, chale gaye, Pahaad per se Musalmano ke kaam dekhte rahe _,*

*★_ Allah ke Nabi ﷺ Teen Din tak Umra ke liye Makka me rahe aur fir saari Jami'at ke saath Madina ko waapas chale gaye, Un Munkiro per Musalmano ke Sachche Josh, Saada aur Mo'assir Tareeqa ibaadat ka aur unki A'ala dayanat v Amanat ka ( k khaali Shuda Shehar me kisi ek payi ka bhi nuqsaan na hua tha) Ajeeb asar hua, Jisne Se'nkdo ko islam ki taraf Maa'il kar diya _,"*

*★_ Yahood ki Chothi Saazish Madina Munawwara per Hamle ki Tayyari, Junge Khaibar ( Muharram 7 Hijri):_*
*"_ Khaibar Madina Munawwara se Shaam ki jaanib teen Manzil per ek Muqaam ka naam hai, Ye Yahoodiyo ki khaalis Abaadi ka qasba tha, Abaadi ke Aas paas bahut se qile banaye hue they _,"*

*★_ Nabi ﷺ ko Safare Hudebiya se pahunche hue abhi thode din ( ek maah se kam ) hue they k ye sunne me aaya k Khaibar ke Yahoodi fir Madina per Hamala karne wale hai'n aur Junge Ahzaab ki nakaami ka badla lene aur Apni khoyi hui jungi izzat v Quwwat ko mulk bhar me bahal karne ke liye ek khoo'nkhaar Jung ki tayyari kar chuke hai'n_,"*
*"_ Unhone Qabila Banu Gatfaan ke chaar Hazaar Jungju bahaduro ko bhi apne saath Mila liya tha aur Muahida ye hua tha k Agar Madina Fateh ho gaya to paidawaar Khaibar ka Nisf hissa hamesha Banu Gatfaan ko dete rehenge _,"*
[3/20, 9:39 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mehmood bin Muslima Raziyallahu Anhu Paa'nch Roz tak barabar Hamla karte rahe lekin Qila Fateh na hua, Paa'nchve ya Chhate Roz ka Zikr hai k Mehmood Raziyallahu Anhu Maidane Jung ki garmi se Zara sustane ke liye Qile ke saaye me let gaye, Kanana bin Aqeeq Yahoodi ne unhe gaafil dekh kar ek patthar unke sar per de maara Jisse Wo Shaheed ho gaye, Shaam ko Muhammad bin Muslima Raziyallahu Anhu ne Apne Bhai ki mazloomana Shahadat ka qissa khud hi Nabi ﷺ ki khidmat me aa kar arz kiya _,"*..

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya - Kal Fauj ka Nishan us Shakhs ko diya jayega ( ya Wo Shakhs Nishan haath me lega ) jisse Allah Ta'ala aur Rasulallah ﷺ muhabbat karte hai'n aur Allah Ta'ala Fateh inayat farmayega _,"*
*"_ Ye esi Tareef thi jise Sun kar Fauj ke bade bade Bahadur Agle Din ki kamaan Milne ke Aarzumand ho gaye they,*
*"_ Us Raat Lashkar ki Paasbaani ki khidmat Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ke supurd thi, Unhone girdavari karte hue ek Yahoodi ko giraftaar kiya aur Usi Waqt Nabi ﷺ ki khidmat me laye, Aan Hazrat ﷺ Namaze Tahajjud me they, Jab Faarig hue to Yahoodi se Guftgu farmayi _,"*

*★_ Yahoodi ne kaha k Agar use aur Uske Zan v Bachcho ko jo Qile ke andar hai'n Amaan ata ho to wo bahut se jungi Raaz batla sakta hai, Ye Vaada usse kar liya gaya, Yahoodi ne batlaya k Nataaq ke Yahoodi Aaj ki Raat Apne Zan v Bachcho ko Qila Shan me bhej rahe hai'n aur Naqad v Jins ko Qila Nataaq ke andar dafan kar rahe hai'n, Mujhe wo Muqaam maloom hai jab Aap Nataaq le lenge to Mai'n wo jagah batla dunga, Batlaya k Qila Shan ke Tehkhano me bahut se Aalaat Minjineeq vagera mojood hai'n, Jab Aap Qila Shan Fateh kar lenge to Mai'n wo Tehkhana bhi batla dunga _,"*

*★_ Subeh hui to Nabi ﷺ ne Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ko yaad farmaya, Logo ne arz kiya k unhe Aashoob Chashm hai aur Aankho me dard bhi hota raha hai, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aa gaye to Nabi ﷺ ne Luaabe Dahan Mubarak Ali Raziyallahu Anhu ki Aankho per laga diya, Us Waqt Aankhe khul gayi, na Aashoob ki surkhi baqi thi aur na dard ki takleef, Fir farmaya Ali Raziyallahu Anhu jao, Allah ki Raah me koshish karo, Agar Tumhare haath per ek Shakhs bhi imaan le aaye to ye kaam bhaari ganimato ke haasil ho jane se behtar hoga _,"*
[3/20, 5:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke Aam Hamle se Qila Na'am Fateh ho gaya, Usi Roz Qila So'ab ko Hazrat Hibaab bin Manzar Raziyallahu Anhu ne muhasra se teesre Din baad Fateh kar liya, Qila So'ab se Musalmano ko Jo Khajoor, Chhuhare, Makkhan, Rogan, Zaitoon, Charbi aur Paar Chaat ( Kapde) ki miqdaar Kaseer mili, Fauj me Rasad ki qillat se jo takleef ho rahi thi, wo door ho gayi_,*

*★_ Isse agle Roz Qila Nataaq Fateh ho gaya, Ab Qila Alzuber per Jo ek pahadi teele per waqe tha aur Apne Baani Nazeer ke naam se mosoon tha, Hamla kiya gaya, Do Roz ke baad ek Yahoodi Lashkare islam me aaya, Usne kaha- Ye Qila to mahine bhar tak bhi tum Fateh nahi kar sakoge, Mai'n ek Raaz batlata hu'n, Us Qile ke andar Pani ek Zere Zameen naala ke Raah se jaata hai, Agar Pani ka Raasta band kar diya jaye to Fateh mumkin hai _,"*

*★_ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Pani per qabza kar liya, Ab Ahle Qila, Qile se nikal kar khule maidaan me aa kar lade aur Sahaba Raziyallahu Anhum ne unhe Shikast de kar Qile ko Fateh kar liya _,"*
*"_ Pur Hasan Abi per Hamla shuru hua, Us Qile walo ne sakht mudaf'at ki, Aakhir ye Qila bhi Fateh ho gaya, Ahle Qila bhaag gaye, Us Qile se Bakriya'n aur Paar Chaat aur bahut sa asbaab mila, Ab Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Hasan Albar per Hamla kar diya, Yaha'n ke Qila Nasheeno ne Sahaba Kiraam per Patthar giraye k unki bhi Muqable me Minjineeq ka istemal karna pada, Minjineeq wahi they Jo Hasan So'ab se Ganimat me mile they, Minjineeq se qile ki Diwaare girayi gayi aur Qila Fateh ho gaya _,"*
[3/20, 6:06 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ka imaan Lana ( 8 Hijri)_,*
*"_Unhi imaan lane walo me Hazrat Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu they Jo Junge Uhad me Quresh ke Lashkar ke Afsar they aur Musalmano ko unhone Sakht nuqsaan pahunchaya tha,*

*★_ Ye Wohi Khalid Raziyallahu Anhu hai'n Jinhone islami general hone ki haisiyat me Muselma Kazzaab ko Shiksat di, Tamaam Iraaq aur Nisf Shaam ka mulk Fateh kiya tha, Musalmano ke ese jaa'nbaaz A'ala Sipahi ka khud ba khud Musalman ho jana islam ki Sachcha'i ka mojza hai,*

*★_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ka islam Lana (8 Hijri):-*
*"_inhi imaan Lane walo me Amru bin Aas Raziyallahu Anhu they, Quresh ne inhi ko Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Adawat aur Berooni mamlaat me Aala qabiliyat rakhne ki vajah se Wafad ka Sardaar banaya tha, Jo Shaahe Habsha ke paas gaya tha taki wo Habsha me gaye hue Musalmano ko Quresh ke hawale kar de_,*

*★_ Inhi Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Khilafat ke zamane me Mulk Misr ko Fateh kiya tha, Ese Mudabbir Siyasatdaan aur Faateh Mumalik ka Musalman ho jana bhi islam ka Aijaaz hai _,"*
[3/23, 7:02 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Usman bin Talha Raziyallahu Anhu Ka islam Lana :-*
*"_ Unhi islam lane walo me Usman bin Talha Raziyallahu Anhu bhi they Jo Makka ke A'ala Muhatmim v Kaleed Bardaar they, Jab ye Naami Sardaar ( Jinki Sharafat Hasab v Nasab Saare Arab me Muslama thi ) Nabi ﷺ ki khidmat me Madina Munawwara ja pahunche To Nabi ﷺ ne farmaya k Aaj Makka ne Apne Jigar ke Tukde hum ko de diye _,"*

*★_ Adi bin Haatim Taa'i Raziyallahu Anhu ka imaan Lana (9 Hijri Muqaddas):-*
*"_ is Mash'hoor Sardaar ke imaan lane ki Taqreeb ye hui k 9 Hijri me Yaman ke Qabila bani Te ne Bagawat ki thi, Us Waqt us ilaaqe ke Haakim E A'ala Ali Murtaza Raziyallahu Anhu they, Unhone Fasadiyo Ko pakad kar Madina Munawwara pahuncha diya tha, Unme Haatim Taa'i Mash'hoor Sakhi ki beti bhi thi _,"*

*★"_ Usne Nabi ﷺ ki khidmat me yu'n arz kiya - Mai'n Sardaar E Qaum ki Beti hu'n, Mera Baap Raham v Karam me mash'hoor tha, Bhooko ko khana khilaya karta tha, Garibo per Raham kiya karta tha, Wo Mar gaya, Bhai Shiksat kha kar bhaag Gaya, Ab Aap ﷺ mujh per Raham kare'n _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne Ye Sun kar Farmaya :- Tere Baap me momino jesi Sifaat thi, Uske baad use ma uske mutalliqeen ke chhod diya aur Raaste ka kharch aur Libaas bhi inaayat farmaya _,"*
[3/27, 7:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Adi Bin Haatim Raziyallahu Anhu ka Qissa :-*
*"_ Adi bin Haatim Raziyallahu Anhu ka Apna bayan hai k Mujhe Rasulallah ﷺ ke naam se Sakht nafrat thi kyunki Mai'n Iysaa'i Mazhab tha, Apni Qaum ka Sardaar tha, Meri Qaum Ganimat ka ek chotha'i hissa mujhe ada Kiya karti thi, Mai'n Apne Dil me kaha karta tha k Mai'n Sachche Deen per bhi hu'n aur Apne ilaaqe ka Badshaah bhi hu'n, isliye Musalman hone ki mujhe koi zarurat nahi, Maine Apne Shutar khane ke daroga ko keh rakha tha k Do umda Ou'nt jo tez raftaar ho, har waqt mere makaan per mojood rakha kare aur jab use is ilaaqe me Musalmano ke aane ki khabar mile, mujhe foran batlaye _,*

*★"_ Ek Roz Daroga aaya, Kaha - Sahab ! Muhammadi (ﷺ) fauj ke aa jane per Jo kuchh karne ka iraada ho, Wo kar guzre'n, kyunki mujhe door se kuchh jhande Nazar aate Hai'n, Ye Sun kar Maine Ou'nt mangaye, Bivi Bachche aur Zar v Maal ko laada aur Shaam ko chal diya, Meri Behan Aan Hazrat ﷺ se Rihayi haasil karne ke baad mere Paas Shaam hi me pahunchi, Usne Apni Rihayi ki tamaam kaifiyat sunayi, Meri Behan Nihayat daana aur Aqalmand thi, maine puchha k us Shakhs ( Rasulallah ﷺ) ki nisbat tumhari kya raay hai, Usne kaha meri raay ye hai k Tu jald uske paas chala ja, kyunki agar wo Nabi hai tab To Sabiqeen ki fazilat ko kyu zaaya kiya jaye aur Agar wo Badshaah hai tab bhi uske paas jane se Tu zaleel na hoga, kyunki Tu to hi hai ( Yani tu khud hi Apni Qabiliyat me benazeer hai )_,"*

*★_ Behan ke Mashware per Mai'n Madina me aaya, Us Waqt Nabi ﷺ Masjid me they, Maine ja kar Salam Kiya- Farmaya kon ? Maine kaha - Adi bin Haatim, Nabi ﷺ mujhe saath le kar Apne ghar chale, Raaste me ak khoosar Budhiya mili, usne Nabi ﷺ ko thehra liya, Aap der tak uske paas khade rahe aur wo Apni hi Daastaan sunati rahi _,"*
*"_ maine Apne Dil me kaha Ye Shakhs Baadshah to Hargiz nahi _,"*

*★_ Fir Aan Hazrat ﷺ Ghar pahunche, Ek chamde ka gadda jisme khajoor ke patthe bhare hue they Nabi ﷺ ne mere saamne rakh diya, farmaya is per betho, Maine kaha -Nahi, Huzoor ﷺ bethe'n, Farmaya Nahi tum hi Beth jao, Mai'n gadde per beth gaya aur Aan Hazrat ﷺ Zameen per beth gaye, Ab fir mere Dil ne yahi gawahi di k Ye Badshaah Hargiz nahi _,"*
[3/27, 9:23 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Nabi ﷺ ne farmaya - Tum to "Rakoosi" ho ( Rakoosi Iysa'iyo ke ek Qadeem Firqe ka naam hai ), maine kaha - Haa'n, Farmaya- Tum to Apni Qaum se Ganimat aur paidawaar se chotha'i hissa liya karte ho, maine kaha - Haa'n, Nabi ﷺ ne farmaya k esa karna to tumhare Deen me Jaa'iz nahi, Maine kaha- Sach hai, aur maine apne dil me kaha k ye zaroor Nahi hai'n, Sab kuchh jaante hai'n, inse kuchh poshida nahi _,"*

*★_ Nabi ﷺ ne fir farmaya - Adi Shayad is Deen me dakhil hone se tumko ye Amr maane hai k Sab log gareeb hai'n, Wallaah ! Inme is qadar maal hone wala hai k koi shakhs maal lene wala baqi na rahega _,"*
*"_ Adi ! Is Deen me dakhil hone se tumko shayad ye Amr bhi maane hai k hum log tadaad me thode hai'n aur hamare Dushman bahut hai'n, Allah ki qasam ! Wo waqt qareeb aa raha hai, jab tum sun loge k Akeli Aurat Qaadsiya se chalegi aur Makka ka Hajj karegi aur use kisi ka dar v khof na hoga _,"*

*★_ Adi ! Is Deen me dakhil hone se shayad tumko ye Amr bhi maane hai k Hukumat aur Saltnat Aaj kal doosri Qaumo me hai, Wallah ! Wo waqt bahut qareeb aa raha hau jab tum sun loge k Arze Haabil ka Safed Mahal ( No Sherwan ka Darbaar Diwaan khana ) Musalmano ke haath per Fateh hoga_,"*.

*★_ Adi ! Batlao k "La ilaaha illallah" kehne me tumhe kya tammul hai ? Kya Allah ke Siva koi aur bhi mabood ho sakta hai ? Adi ! Batlao k Allahu Akbar ke kehne me tumhe kya uzr hai ? Kya Allah se bhi koi bada hai ?*
*"_ Adi Raziyallahu Anhu kehte hai'n n is taqreer ke baad Mai'n Musalman ho gaya, mere islam lane se Nabi ﷺ ke chehre per bashashat aur Farhat numaya thi _,"*

*★_ Adi Raziyallahu Anhu kehte hai'n k is irshade Nabvi ﷺ ke baad do saal poore ho chuke they aur teesra saal chal raha tha k Maine Arze Haabil ke Mahallaat ko bhi Fateh Shuda dekh liya aur Ek Budhiya ko Qaadsiya se Makka tak Hajj ke liye Akeli aate bhi dekh liya aur mujhe ummeed hai k Teesri baat bhi ho kar rahegi _,*
*"_Adi bin Haatim Taa'i Raziyallahu Anhu ne 67 Hijri me ba umr 120 saal koofa me wafaat payi _,"*.
*(_ Bukhari 1413-3595 Tareekh Tibri )*
[3/28, 6:58 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hajj islam Ka Paa'nchva Rukn :-*
*"_ islam me Hajj 9 Hijri ko Farz hua, isi Saal Nabi Kareem ﷺ ne Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Ameerul Hajj banaya aur 300 Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko unke saath kiya taki sabko Hajj karaye'n _,"*
*"_ Islam ka Paa'nchva Rukn Hajj hai, Yaad rakhna chahiye k islam wo Paigame Muhabbat hai jo bichhde huwo ko milata, baigano ko yagana aur Aashna'o ko Siddiq banata hai, Ahkaam islam ka Mansha bhi yahi hai k Mukhtalif Afraad ko ek millat bana kar ek kalme per jama kar diya jaye,*

*★_ Ahle Mohalla me muhabbat ittehad paida karne, qaa'im rakhne ke liye Panjgana Namazo ke waqt Ahle Mohalle per Mohalle ki Masjid me jama hona waajib kiya gaya hai, Ahle Shehar me muhabbat v Talluqaat badhane ke liye hafte me ek baar unka Jaama Masjid me ikattha hona mil kar Namaze Juma ada karna zaroori thehraya gaya hai _,"*

*★_ Ahle Shehar, Dehaat , qurb v jawaar ke rehne walo me Tarruf Talluq muhabbat v shanaaha'i qaa'im karne aur Mutahkam rakhne ke liye saal me Do baar Eiden ki Namaz ko waajib qaraar diya gaya hai, Har Do miqo per Dehaat wale Shehar ki jaanib aate Hai'n aur Shehar wale Shehar se bahar nikal kar unse mulaaqi hote hai'n aur mil jul kar ibaadate ilaahi ada karte hai'n_,"*

*★_ Aalame islami me Raabta Deen ke mazboot karne Mukhtalif qaumo, Mukhtalif naslo, Mukhtalif zubano, Mukhtalif rango aur Mukhtalif Mulko ke Shakhso ko Deen E Waahid ki Wahdat me Shamil hone ke liye Hajj Umr bhar me ek dafa un Shakhso per Jo Waha'n jane ki istet'aat rakhte hai'n, Farz kiya gaya hai, Hajj me Sabke liye wo Saada bin sila libaas jo nasl insaani ke padre Aazam Aadam Alaihissalam ka tha, Tajveez kiya gaya hai taki ek hi Rasool ﷺ, Ek hi Qur'an, Ek hi Kaaba per imaan rakhne wale ek hi soorat, ek hi Libaas me ek hi Satah per nazar aaye'n aur Zaahir haalat dekhne walo ko bhi in ittehad ma'anvi rakhne walo ke andar koi ikhtilaf zahiri Mehsoos na ho sake _,"*

*★_ Hajj ke liye wo Muqaam qaraar diya gaya hai jaha'n Saabi, Yahoodi, Iysaa'i aur Musalmano ke Jadde Aazam Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne duniya ki sabse pehli ibaadat gaah banayi thi, Chu'nki Aqwame baala ka majmu'a duniya ki digar Aqwaam se zyada hai, isliye is Muqaam ke Akhtyar karne ki Taa'iyd kasrate raay aur qadamat e zamana dono tarah se hoti hai _,"*
[3/30, 7:47 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ka Hajj ( 10 Hijri):-*
*"_ is Saal Nabi ﷺ ne Hajj ka iraada kiya aur jumla Atraaf me ittela bhej di gayi k Nabi ﷺ Hajj ke liye Tashreef le jane wale hai'n, is ittela ke baad door daraaz se log Madina Tayyaba me jama ho gaye Jinme har darje aur har tabqa ke Shakhs they _,"*

*★"_Zul Hulefa me Nabi ﷺ ne Aheaam baandha aur Yahi'n se "Labbek Allahumma Labbek La Shareeka Laka Labbek innal Hamda Wan niyamata Laka wal Mulka La Shareeka Laka" ka Tarana buland kiya aur Makka Muazzama ko Ahraam ke saath rawana ho gaye, is Muqaddas Kaarwa'n ke saath Raaste me har har har jagah se fauj dar fauj log shamil hote jate they, Nabi Kareem ﷺ ka Raah me jab kisi Teele se guzar hota tha Teen Teen baar Takbeer ba Awaaz buland farmate they _,"*

*★_ Jab Makka ke qareeb pahunche to ZiTawa me thodi der ke liye thehre aur fir baala'e Makka se un Sab Qaumo aur Amwah ko le kar Makka me dakhil hue aur Roze Roshan me Kaabatullaah ka Tawaaf farmaya, Ziyarat E Kaabatullaah se faarig ho kar Safa aur Marwah ke pahaado per Tashreef le gaye, Unki Chotiyo per chadh kar aur Kaaba ki jaanib Rukh kar ke Kalmaat E Toheed v Takbeer padhe _,"*

*★_ Aathvi Zilhijja ko qayamgaah se Makka rawana ho kar Meena me thehre, Zohar Asr Maghrib isha Subeh ki Namaze Meena me ada farmayi'n, Navi Zilhijja ko Aan Hazrat ﷺ Tulu Aaftaab ke baad Waadi Namra aa kar Utre, Is Waadi ke ek jaanib Arafaat aur Doosri Jaanib Muzdalfa hai, Din dhalne ke baad Yaha'n se rawana ho kar Arafaat Tashreef laye, Tamaam maidaan Sar Ta Sar logo se bhara hua tha aur Har ek Shakhs Takbeer v Tehleel, Tamheed v Taqdees me Masroof tha, Us Waqt Ek Laakh Chawalees Hazaar ( Ya Ek Laakh Chobees Hazaar ) ka majma Ahkaame ilaahi ki tameel ke liye Hama Tan haazir tha, Nabi ﷺ ne Pahaadi per chadh kar aur Qaswa per Sawaar ho kar khutba ka Agaaz farmaya _,"*
[4/1, 9:33 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ ka khutba Hajjul Vidaa :-*
*"_Logo ! Tumhare khoon, Tumhare Maal aur Tumhari izzate ek doosre per esi hi Haraam hai'n Jesa k Tum Aaj ke din ki, is Shehar ki, is Mahine ki Hurmat karte ho, Logo! Tumhe Anqareeb Allah ke Saamne Haazir hona hai aur Wo tumse tumhare A'maal ki baabat sawal farmayega, Khabardaar! Mere baad gumraah na ban jana k ek doosre ki gardane kaatne lago _,"*

*★_ Logo ! Jaahiliyat ki har ek baat ko Mai'n Apne Qadmo ke niche pamaal karta hu'n, Jaahiliyat ke qatlo ke tamaam Jhagde maliyamet karta hu'n, Pehla Khoon jo mere Khandaan ka hai Yani ibne Rabi'a bin AlHaaris ka khoon jo Bani Sa'ad me doodh pita tha aur Huzel ne use maar dala tha Mai'n chhodta hu'n, Jaahiliyat ke zamane ka sood maliyamet kar diya gaya, Pehla Sood Apne Khandaan ka jo Mai'n mitata hu'n Wo Abbas bin Abdul Muttalib ka sood hai, Wo Sabka sab chhod diya gaya hai _,"*

*★_ Logo ! Apni Biviyo ke mutalliq Allah se darte raho, Allah ke naam ki zimmedari se tumne unko Bivi banaya aur Allah ke kalaam se tumne unka Jism Apne liye halaal banaya hai, Tumhara Haq Aurto'n per itna hai k Wo tumhare bistar per kisi gair ko ( k uska Aana tumko nagawaar hai ) na aane de'n, Lekin Agar wo esa kare'n to unko esi maar maaro Jo namoodaar ( Zaahir) na ho, Aurto'n ka haq tum per ye hai k unko Achchhi tarah khilao, Achchhi tarah pehnao _,"*
[4/2, 9:00 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★"_Nabi ﷺ ka khutba Hajjul Vidaa -( pichhle part se jaari ):-*
*"_ Logo'n! Mai'n tumme wo cheez chhod chala hu'n k Agar use mazboot pakad loge to kabhi gumraah na hoge, Wo Qur'an Allah ki Kitaab hai _,"*

*★_ Logo'n! Na to mere baad koi aur Paigambar hai aur na koi jadeed Ummat paida hone wali hai, Khoob sun lo k Apne Parwardigaar ki ibaadat karo aur Panjgana Namaz ada karo, Saal bhar me ek Mahine Ramzan ke Roze rakho, Apne maalo ki Zakaat Nihayat khush dili ke saath diya karo, Khana Khuda ka Hajj Baja lao aur Apne Awliya E Umoor v Hukkam ki ita'at karo jiski jaza ye hai k Tum Parwardigaar ke Firdaus bari me dakhil hoge _,"*

*★_ Logo'n! Qayamat ke Din tumse meri baabat bhi daryaft kiya jayega mujhe Zara batla do k tum kya jawab doge ? Sabne kaha - hum iski shahadat dete hai'n k Aapne Allah ke Ahkaam humko pahuncha diye, Aapne Risaalat v Nabuwat ka Haq ada kar diya, Aap ﷺ ne humko khote khare ki baabat Achchhi tarah batla diya, ( us waqt ) Nabi ﷺ ne Apni Angusht Shahadat ko uthaya, Aasman ki taraf ungli ko uthate aur fir Logo'n ki taraf jhukate , ( Farmaya ) Ey Allah ! sun le ( Tere Bande kya keh rahe hai'n) Ey Allah gawah rehna ( k ye log kya gawahi de rahe hai'n) Ey Allah ! Shahid reh ( k ye sab kesa saaf iqraar kar rahe hai'n)_,"*

*★_ Dekho ! Jo log mojood hai'n, Wo un Logo'n ko jo mojood nahi hai'n iski Tableeg karte rahe, Mumkin hai Baaz Sunne walo se wo log zyadatar is kalaam ko yaad rakhne aur Hifazat karne wale Ho'n Jin per Tableeg ki jaye _,"* 

*★_ Qara'ien ! Is khutba Nabi ﷺ ko padhe, gor se padhe, Zara tafakkur v tadabbur se padhe k Aan Hazrat ﷺ ne kyu kar Apne Alvidayi Khutbe me Qur'an Majeed per Amal karne ki Takeed farmayi hai aur kyu kar Quran Majeed per Amal karne walo ke liye Vaada kiya hai k wo kabhi gumraah na honge _,"*
*"_ Kyu kar Musalmano ke Baahami Huqooq Jaan maal v izzat ko mehfooz farmaya hai, Kyu kar Biviyo'n ke Huqooq per Nihayat mustahkam Alfaz me Tavajjo dilayi hai, kyu kar Apni zaat Mubarak ke mutalliq Apne Umr bhar ke Kaarnamo ke mutalliq hamare Baap Dada'o se Goya mohre lagwayi hai'n, Kyu kar har ek musalman ko Tableeg aur isha'at islam ka zimmedar jawabdeh qaraar diya hai _,"*
*"_ Yahi wo usool v Ahkaam hai'n Jin per Amal karna Musalmano ko Duniya aur Deen me sar buland kar sakta hai aur jinka Tarke Amal Duniya v Aakhirat ka khasara hai _,"*
[4/3, 6:19 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi Kareem ﷺ jab Khutbe se faarig hue to usi jagah is Aayat ka nuzool hua:-( Surah Al Maa'ida -3)*
*"_Aaj Maine tumhare Deen ko tumhare liye Kaamil kar diya aur tum per Apni ni'amat ko poora kar diya aur Maine tumhare liye islam ka Deen hona pasand farmaya hai _,"*

*★_ Yaume Nahar ko Nabi ﷺ ne 63 Ou'nt Apne haath se aur 37 Ou'nt Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ne Rasulallah ﷺ ki taraf se zibeh kiye, Ye Qurbani Mina per ki gayi thi Jo Ibrahim Alaihissalam ke waqt se Qurbangaah chali aati hai _,"*
*"_ Qurbani se faarig ho kar Nabi ﷺ Baitullah me aaye aur Tawaaf ka izafa kiya, Qurbani aur Tawaaf me sabne Aan Hazrat ﷺ ki ibtida ki, Hazaaro Ou'nt, Me'ndhe, Bhede'n Qurbani ki gayi _,*

*★_ Hajj se Nabi ﷺ ka maqsood Sha'aar Allah ki Tazeem, Hazrat Ibrahim Alaihissalam, Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ke Sunan badi ka Ahya, Mushrikeen ke mushrikana Rasmo ka ibtaal, Toheed khaalis ka Elaan, Taleem e Islam ki isha'at Aamma tha, Chu'nki Aan Hazrat ﷺ ne ummat ko is Hajj me Aakhri Tableeg farmayi thi isliye is Hajj ka naam Hajjatul Balaag bhi hai aur Chu'nki is Hajj me Aan Hazrat ﷺ ne Ummat se Kalmaat Alvidayi farmaye they isliye iska naam Hajjatul Vida bhi hai _,"*

*★_ Algarz Nabi ﷺ ne is Azeemush Shaan kamyaabi ke saath ek laakh Chawalees Hazaar barguzida Bando ke saamne Toheed ki taleem v Amal aur Albalaag v Alvida ke baad Madina Tayyaba ko rawana hue, Raah me Bureda Aslami Raziyallahu Anhu ne Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ki nisbat kuchh shikayaat Nabi ﷺ tak pahunchayi, Shikayat ka Talluq Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke Chand Af'aal se tha, Jo Hukumat Yaman me Janab Murtaza Raziyallahu Anhu se Taqseem E Ganeemat vagera ke mutalliq Saadir hue they _,*

*★"_ Khutba Gadeer E Khum :- Dar Haqeeqat Shikayat ki buniyad Bureda Raziyallahu Anhu ka qusoore Faham tha, isliye Rasulallah ﷺ ne "Khum Gadeer " per ek Faseeh khutba padha aur is khutba me Ahle Bayt Raziyallahu Anhum ki shaan v manzilat ka izhaar farmaya aur Ali Murtaza Salamullah Alaihi ka haath pakad kar farmaya :- Jiska Mai'n Maula Ali bhi uska Maula hai _," ( Tirmizi -3713, Kanzul Ummal -32994, Musnad Ahmad-1/84)*

*★_ Is Khutbe ke baad Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ko is Sharf ki Mubarak baad di aur Bureda Raziyallahu Anhu ne Baqi Umr Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ki muhabbat v mutab'at ko poora kiya, Bil Aakhir ye Buzurgwar junge Jamal me Shaheed hue they _,"*

[4/4, 6:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 11 Hijri :- Ye wo Saal hai jisme Allah Ke Rasool ﷺ ne Haq E Risaalat ada karne ke baad Apne bhejne wale ki jaanib Mu'awdat (Waapsi) farmayi, Rahlat se 6 maah pehle is Surah ( Al Nasr-1-3) Ka nuzool hua tha :-*
*"_ ( Tarjuma) Jab Allah ki madad aur Fateh pahunch gayi aur tumne logo ko fauj dar fauj Deen E ilaahi me dakhil hote dekh liya, To Ab Allah ki Tahmeed v Tasbeeh kijiye, Wohi hai Jo Ruju wala hai _,"*

*★_ Nabi ﷺ samajh gaye k is saal me kooch ki ittela di gayi hai, Aakhri Ramzan 10 Hijri me Nabi ﷺ ne 20 Yaum ka Aitkaaf farmaya, Halanki har saal 10 Yaum ka Aitkaaf farmaya karte they, Apni pyari Beti Fatima Batool Raziyallahu Anha ko iski vajah yahi bata di thi k mujhe Apni maut qareeb maloom hoti hai _,*
*"_Hajjatul Vida ke Mash'hoor Khutbe me bhi Huzoor ﷺ ne ummat se farma diya tha k Mai'n Anqareeb duniya chhod dene wala hu'n _,"*

*★_ Shuru Maah Safar 11 Hijri me Sarware Kaynaat ﷺ ne Safar E Aakhirat ku tayyari bhi shuru kar di, Ek Roz Huzoor ﷺ Uhad Tashreef le gaye aur Shohda E Uhad ke Ganj Shaheeda'n per namaz padhi, Waha'n se Waapas ho kar Sar e Mimbar farmaya :- Logo'n Mai'n tumse Aage jane wala hu'n, Wallah ! Mai'n Apni Hauj ko Yaha'n se dekh raha hu'n, mujhe Mumalik ke Khazano ki Kunjiya'n di gayi hai'n, Mujhe ye dar nahi raha k Tum mere baad mushrik ho jaoge magar Dar hai k Munafsat ( Muqabla Baazi ) na karne lago _,"*

*★_ Fir Goristaan Baqi me Aadhi raat ko qadam ranja farmaya aur Aasoodgaane Baqi ke liye Dua farmayi, fir ek Roz Musalmano ko jama farmaya aur irshad farmaya:-*
*"_ Marhaba Musalmano! Allah Tumko Apni Rehmat me rakhe, Tumhari Shiksta dili ko door farmaye'n, Tumko Rizq de, Tumhari madad kare, Tumko raf'at de, Tumhe Ba Amno Amaan rakhe, Mai'n tumko Allah ke Taqwa ki vasiyat karta hu'n aur Allah ko tumhara tumhara Khalifa banata hu'n aur Tumko usse darata hu'n kyunki Mai'n "Nazeer Mubeen" hu'n, Dekhna Allah ki Bastiyo'n me aur uske Bando me Takabbur aur bartari ko Akhtyar na karna, Allah Ta'ala ne mujhe aur Tumhe farmaya hai- Ye Aakhirat ka ghar hai, Hum un Logo'n ko dete hai'n Jo Zameen me bartari aur Fasaad ka iraada nahi karte aur behatreen Anjaam to parhezgaro ke liye hai _,"( Surah Qasas-83)*

*★_ Fir ye Aayat tilawat farmayi - ( Tarjuma) Kya Takabbur karne wale ka Thikana jahannam nahi hai _,"(Surah Zumar-60)*
*"_ Aakhir me farmaya - Salam tum sab per aur un sab per Jo ba zariye islam meri Bayt me dakhil ho'nge _,"*
[4/5, 6:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aagaze Marz :- 29 Safar Roz Do Shamba ( Somwaar) tha, Nabi ﷺ ek Janaze se Waapas aa rahe they, Raah hi me Sar dard shuru hua, Fir Tap ( Bukhaar ) laahaq hua, Abu Saied khudri Raziyallahu Anhu ka bayan hai k jo Rumaal Huzoor ﷺ ke Sar Mubarak per baandh rakha tha maine use haath lagaya Sai'nk aata tha, Badan esa garm tha k mere haath ko bardasht na hui, Maine tajjub kiya, Farmaya-"Ambiya Alaihissalam se badh kar kisi ko takleef nahi hoti, isliye unka Ajr sabse bada hua hota hai _,"*

*★_ Bimaari me 11 Yaum tak Masjid me aa kar khud Namaz padhate rahe, Bimaari ke Sab din 13 ya 14 they, Aakhri Hafta Nabi ﷺ ne Tayyaba Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke ghar me poora farmaya tha, Ummul Momineen Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k jab bhi Nabi ﷺ Bimaar hua karte to ye Dua padha karte aur Apne Haath jism per fair liya karte they:-*
*"_ Ey Nasl insaani ke paalne wale, khatar ko door farma de aur Sahat ata kar, Shifa dene wala tu hi hai aur usi shifa ka naam shifa hai jo tu inaayat karta hai, Esi Sahat de k koi takleef baqi na chhode _,"*

*★_ Un Dino me maine ye dua padhi thi aur Nabi ﷺ ke haatho per dam kar ke chaha k Jism Athar per Mubarak haatho ko fair du'n, Aan Hazrat ﷺ ne haath hata liye aur farmaya :- ( Tarjuma) Ey Allah mujhe maaf kar de aur mujhe A'ala Tareen Saathi me Shamil kar de _," ( Bukhari- 4440)"* 

*★_ Chahaar Shamba ( Budh ) tha k Nabi ﷺ ne magzab ( Tagaar ya Tab ) me beth kar Saat Ku'nwo ki Saat Mashko ka paani sar per dalwaya, is Tadbeer se kuchh Sukoon hua, Tabiyat halki Maloom hui to Noor Afroz Masjid hue, ( Farmaya ) Tumse pehle Ek Qaum hui hai jo Ambiya v Sulha ki Qabro ko Sajdagaah banate they, Tum esa na karna _,"*
[4/8, 6:53 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (Farmaya )- Un Yahoodiyo, Nasraniyo per Allah Ta'ala laanat kare Jinhone Ambiya ki Qabro ko Sajdagaah banaya _," ( Bukhari - 4442, 4443)*
*"_ Farmaya - Meri Qabr Ko Mere baad esa na bana dijo k Uski Paristish hua kare _," ( Bukhari -133)*
*"_ Farmaya - Us Qaum per Allah ka Sakht gazab hai Jinhone Quboor E Ambiya ko masajid banaya, Dekho Mai'n tumhe isse mana karta raha hu'n, Dekho Mai'n Tableeg kar chuka, ilaahi Tu iska gawah rehna, ilaahi tu is per gawah rehna _," ( Bukhari -139, 4441, Muslim -1183)*

*★_ Namaz padhayi, Namaz ke baad mimbar per ijlaas farmaya, Mimbar per ye Huzoor ﷺ ki Aakhri nashist thi, Fir Hamdo Sana ke baad Farmaya- Mai'n tumko Ansar ke haq me Vasiyat karta hu'n, Ye log mere jism ke Pairhan aur mere Raazdaar rahe hai'n, Inhone Apne Wajibaat ko poora kar diya hai aur Ab inke Huqooq baqi reh gaye hai'n, inme se Achchha kaam karne walo ki qadar karna aur Lagzish karne walo se darguzar karna _,"*

*★_ Farmaya - Ek Bande ke saamne Duniya v Maafiha ko pesh kiya gaya hai magar usne Aakhirat hi ko Akhtyar kiya _," is Amr ko Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu hi samjhe, Unhone kaha k Hamare Maa'n Baap, Hamari jaane, Hamare zar v Maal Huzoor ﷺ per nisaar ho _," ( Bukhari - 435, 4441 v Muslim -6170)*

*★_ Panj Shamba ( Jumeraat ) ka zikr hai k Shiddate Marz badh gayi, isi haalat me Rasulallah ﷺ ne Hazireen se farmaya - La'o tumhe kuchh likh du'n k tum mere baad gumraah na ho, baaz ne kaha k Nabi ﷺ Shiddate dard gaalib hai, Qur'an hamare paas mojood hai aur ye humko kaafi hai, is per Aapas me ikhtilaf hua, Koi kehta tha Samaane kitaabat le aao k esa noshta likha jaye, koi kuchh aur kehta tha, Ye Shor v Shaqaf badha to Huzoor ﷺ ne farmaya k sab uth jao, Uske baad usi Roz ( Jumeraat ko) Nabi ﷺ ne teen Vasiyate farmayi, 1_ Yahood ko Arab se bahar kar diya jaye, 2_ Wafood ki izzat v Mehmani hamesha usi tarah ki jaye jesa k mamool Nabvi ﷺ tha, 3_ Teesri Vasiyat Suleman Al Ahwaal ki Rivayat me bayan nahi hui, magar Sahi Bukhari ki kitaabul Wasaal me Abdullah bin Abi Aufi Raziyallahu Anhu ki Rivayat me hai k Nabi ﷺ ne Qur'an Majeed ke mutalliq vasiyat farmayi thi _," ( Bukhari -4460, 2740, 5022)*
[4/9, 6:19 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Usi Roz ( Panj Shamba Jumeraat) Magrib tak ki sab Namaze Nabi ﷺ ne khud padhayi thi, Namaze Magrib me Surah Wal Mursalaat ki tilawat farmayi, is Surat ki Aakhri Aayat bhi Qur'an Paak ki jalalat E shaan ko Aashkaar karti hai, isha ke liye Huzoor ﷺ ne Masjid me jane ka Teen baar iraada farmaya, Har dafa jab Vazu ke liye bethe behoshi taari hoti rahi, Aakhir farmaya k Abu Bakar Namaz padhaye_,"*
*"_ Is hukm se Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Hayaate Paak Nabvi ﷺ me 17 Namazo me imaamat farmayi _," ( Bukhari- 4442, 4448)*

*★_ Hafta ya itwaar ka zikr hai k Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki imaamat me Namaze Zuhar qaa'im ho chuki thi k Nabi ﷺ Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke kandho per sahara diye hue Tashreef Afza'n Jama'at hue, Siddiq Raziyallahu Anhu pichhe hatne lage to Nabi ﷺ ne ishara farmaya k pichhe mat hato, fir Siddiq Raziyallahu Anhu ke barabar beth kar Namaz me dakhil ho gaye, Ab Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu to Aan Hazrat ﷺ ki ibtida karte they aur baqi sab log Siddiq Raziyallahu Anhu ki Takbiraat per Namaz ada karte they_," (Bukhari - 4442)*

*★_ Itwaar ke Din Sab Gulamo ko Azaad farma diya, inki tadaad baaz Rivayat me 40 bayan hui hai, ghar me naqad 7 dinaar mojood they, Wo Gurba me Taqseem kar diye, is din ki shaam ko ( Aakhri Shab ) Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Chiraag ka Tel ek padosan se Aaryatan mangwaya tha, Silahaat ( Jungi Hathiyar) Sahaba ko Hiba farmaye, Zira Nabvi ﷺ ek Yahoodi ke paas 30 Sa'a Jo me Rehan thi_," (Bukhari- 2068, 4467)*
[4/10, 7:38 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aakhri Din :- Do Shamba (Somwaar) ke din Subeh ki Namaz ke waqt Nabi ﷺ ne Wo parda uthaya jo Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha aur Masjide Tayyaba ﷺ ke darmiyan pada hua tha, us waqt Namaz ho rahi thi, Thodi der tak Nabi ﷺ us paak nazare ko jo Huzoor ﷺ ki paak taleem ka Natija tha, mulahiza farmate rahe, ( Anas Raziyallahu Anhu se Sahi Muslim me Rivayat hai ) Us Nazare se Rukhe Anwar per bashashat aur ho'nto per muskurahat thi, Us Waqt chehra Mubarak Warq E Qur'an maloom hota tha _,"*

*★_ (Chehra Aqdas ko Warq E Qur'an se Tasbeeh Rivayat Anas Raziyallahu Anhu me hai, Ye ek Ajeeb aur Paak Tashbeeh hai, Warq E Qur'an per Tilayi ka ( Sone ka ) kaam hota hai, Huzoor ﷺ ke Chehra Mubarak per Marz Ki zardi chhayi hui thi, Lihaza Tabaani aur Range Marz me Tila se aur Taqaddus me Qur'an se Tasbeeh di gayi hai, Bukhari -680-681, Muslim - 94)*

*★_ Sahaba Raziyallahu Anhum ka Shoq aur iztraab se ye haal ho gaya tha k Rukhe Purnoor hi ki taraf mutavajjah ho jaye'n, Siddiq Raziyallahu Anhu ye samjhe k Nabi ﷺ ka iraada Namaz me aane ka hai, Wo pichhe hatne lage to Rasulallah ﷺ ne haath ke ishare se farmaya k Namaz padhate raho, Yahi ishara sabki taskeen ka mojib hua, Fir Huzoor ﷺ ne parda chhod diya, Ye Namaz Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu hi ne Mukammal farmayi _,"*

*★_ Iske baad Huzoor ﷺ per kisi doosri Namaz ka waqt nahi aaya, Din Chadha to Pyari Beti Fatima Batool Raziyallahu Anha ko bulaya, kaan me kuchh kahi, Wo ro padi, fir kuchh aur baat kahi to wo ha'ns padi, Batool Paak Raziyallahu Anha se Rivayat hai k pehli baat Huzoor ﷺ ne ye farmayi k Ab Mai'n Duniya ko chhod Raha hu'n aur doosri baat ye farmayi thi k Ahle Bayt me se tum hi mere paas sabse pehle pahunchogi ( yani inteqal hoga ) _," ( Bukhari - 3628, 6275, Muslim-2313, ibne Maaja- 1621)*
[4/11, 4:38 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Isi Roz Huzoor ﷺ ne Fatima Zohra Raziyallahu Anha ko "Sayyadun Nisa'ul Aalameen" hone ki basharat kasrat se farmayi, Sayyadun Nisa ne Huzoor ﷺ ki haalat ko dekh kar kaha - Aah ! Mere Abba Jaan ko kitni Takleef hai, Farmaya k Tere Baap ko Aaj ke baad koi Takleef na hoga _," ( Bukhari-4462)*

*★_ Fir Hasan v Husain Raziyallahu Anhum ko bulaya, dono ko chooma aur unke Ahatram ki Vasiyat farmayi, Fir Ajwaaz Mutahraat Raziyallahu Anhuma ko bulaya aur unko nasihat farmayi, Fir Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ko bulaya, Unhone Sar Mubarak Apni goad me rakh liya Unko bhi nasihat farmayi, Us Waqt Taf ( Bukhar ki garmi ) Sayyadna Ali Raziyallahu Anhu ke chehre per pad raha tha _,"*

*★_ Isi moqe pet Namaz aur Maathato se Husne Sulook ki vasiyat farmayi, Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Nabi ﷺ ki Aakhri Vasiyat yahi thi, Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k isi irshad ko Huzoor ﷺ Kai baar dohrate rahe _," ( Bukhari - 198)*

*★_ Haalate Naza :- Ab Naza ki haalat taari hui, is waqt Sarware Kaynaat ﷺ ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Sahara diye hue Pase Pusht bethi thi'n, Pani ka pyala Huzoor ﷺ ke Sarhane rakha hua tha, Nabi ﷺ pyale me haath daalte aur Chehra Anwar per fair lete they, Chehra Mubarak bhi surkh hota kabhi zard pad jata tha, Zubaan Mubarak se farmate they - Allah ke Siva aur koi Ma'abood nahi, Maut ki Talkhi hua hi karti hai _,"*
[4/13, 6:37 AM] Haqq Ka Daayi Official: *_itne me Abdurrahamaan bin Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aa gaye, unke haath me taaza misavaak thee, Huzoor ﷺ ne misavaak par nazar daali to Siddiqa Raziyallahu Anha ne misavaak ko apane daa'nto se naram bana diya, Huzoor ﷺ ne misavaak kee, phir haath ko buland faramaya aur zubaane qudsee se faramaaya - Ey Allah mere A'ala saathee," us waqt haath latak gaya, putlee oopar uth gayi" (Bukhari -4449)*

*"_13 Rabiul Avval 11 Hijri yaum do shamba (somavaar) waqt chaasht tha, baaz Rivayat me hai Wohi Waqt jab Nabuwat mili thee, Baaz me hai wohi Waqt jab madeena (quba) pahunche the, jisme athar se rooh ne paravaz kiya, us Waqt umr Mubarak 63 saal qamree par 4 din thee_"*
*_inna lillaahi wa inna ilaihi raajioon " (surah baqara-154) "_hum Allah ka maal hai'n aur uski taraf laut kar jaane wale hai'n "*
*"_Ey Nabi ! bhala agar tum mar jao to kya ye log hamesha rahenge? (Surah Ambiya- 34) "*

*"_Sayyada zohra Raziyallahu Anha ne is haadse par kaha:- pyare Baap ne Dawate haq ko qubool kiya aur Firdaus me nuzool faramaya_,"*
*"_ Aah ! Jibreel ko khabar inteqaal kon pahuncha sakata hai _ " (phir faramaya) ilaahi Roohe Fatima Raziyallahu Anha ko Roohe Muhammad ﷺ ke paas pahuncha de, ilaahi ! mujhe deedaar e Rasool ﷺ se masroor bana de, ilaahi ! mujhe is museebat ke sawaab se tu be naseeb na rakh aur ba Roz Mehshar Shafa'at e Muhammad ﷺ se mehroom na farama _,"*

*"_ Ayesha Tayyaba Raziyallahu Anha ne is holanaak haadse par kaha:- Aah ! Wo Nabi ﷺ jisne Fakr ko gina par aur misakeenee ko tavangiree par akhtyaar faramaya, (afsos) Wo deen e paravar, jo ummate aasee ke fikr me kabhi poori raat Aaraam se na soya, jisne hamesha badi isteqamat v istaqlaal se nafs ke saath muhaaraba kiya, jisne munahyyaat ko Zarra bhar bhi nigaahe iltefaat se na dekha, jisne bar v Ehsaan ke darwaze arbaabe Faqar v ahatayaaj par kabhi bhi band na kiye, jiske zameer muneer ke daaman par dushmano ki iyza v izraar ka Zara bhi gubaar na betha, (afsos) jiske moti jese daa'nt patthar se tode gaye, (afsos) wo jiski peshaani Noorani ko zakhmi kiya gaya, Aaj Duniya se rukhsat hua "(madaarij an naboovat shaah Abdul Haq Dehalvi)*
[4/14, 6:26 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Khabar E Wafaat se Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Sarasema ( Pareshan) v Hairaan, Diwana v Sargadaan they, Koi Jungle ko nikal bhaga, koi Shadeed Shashdar ( Hakka Bakka ) ho kar Jaha'n tha Wahi'n reh gaya, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ko Yaqeen hi na aata tha k Allah ke Rasool ﷺ ne irtehal farmaya _,"*

*★"_ Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ghar me gaye, Jisme Athar dekha, Moo'nh se Moo'nh lagaya, Peshani ko chooma, Aansu bahaye, Fir Zubaan se kaha :- Mere Maa'n Baap Huzoor ﷺ per nisaar ! Wallah Allah Ta'ala Aap per Do maute waarid na karega, Yahi ek maut thi Jo Aap per likhi hui thi _," ( Bukhari -4453)*

*★"_ Fir Masjid me aaye , Wafaat per Aayaat ke elaan ka khutba padha :- ( Tarjuma) - Waaze ho k jo koi Shakhs tumme se Muhammad (ﷺ) ki ibaadat karta tha, To wo to Rahlat farma gaye hai'n aur Jo koi Allah Ta'ala ki ibaadat karta tha to beshak Allah Ta'ala to Zinda hai, Use maut nahi, Allah ne khud farmaya hai:- Muhammad (ﷺ) To ek Rasool hai'n, Unse pehle bhi Rasool ho chuke hai'n, Kya Agar wo mar gaya ya Shaheed hua to tum ulte Paa'nv fir jaaoge, Haa'n Jo koi esa karega to Allah Ta'ala ka kuchh na bigaad sakega aur Allah Ta'ala to Shukr guzaaro ko Achchha badla dene wala hai _," ( Bukhari - 4454)*

 *★_ Gusl V Takfeen :-*
*"_ Nabi ﷺ ko Gusl dete hue Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ye keh rahe they ;- Mere Maa'n Baap Aap per qurban, Aapki maut se do cheeze jaati rahi Jo kisi doosre ki maut se na gayi thi, Yani Nabuwat aur gaib ki khabro aur Wahi Aasmani ka inqata ho gaya, Aapki maut khaas Sadma Azeem hai k Ab sab musibato se dil sard ho gaya aur esa Aam haadsa hai k Sab log isme yaksa'n hai'n, Agar Aapne Sabr ka hukm na diya hota aur Aaho Zaari se mana na farmaya Hota to hum Aansuo'n ko Aap per baha dete, fir bhi ye dardila ilaaj aur zakhm la zawaal hi hota aur hamari ye haalat bhi is musibat ke Muqable me kam hoti, is musibat ka to ilaaj hi nahi aur ye gam to jane wala hi nahi, Mere Walden Huzoor per nisaar, Parwardigaar ke Yaha'n hamara zikr farmana aur humko Apne Dil se bhool na jaana _,"*
*"_ Nabi ﷺ ko Teen Kapdo me kafnaya gaya _," ( Bukhari -1271)*

*★_ Namaze Janaza :-*
*"_ Laash Mubarak usi jagah rakhi rahi, Jaha'n inteqal hua tha, Namaze Janaza pehle kunba walo ne, Fir Muhajireen fir Ansar ne, Mardo'n ne aur Aurto'n ne fir Bachcho ne ada ki, is Namaz me koi imaam na tha, Hujra Mubarak tang tha, isliye Das Das (10 -10) Shakhs andar jate they, Jab wo Namaz se faarig ho kar bahar aate, Tab aur Das andar jaate, Ye Silsila lagataar Shab v Roz jaari raha, isliye tadfeen Mubarak Shab Chahaar Shamba (Budh) ko yani Rahlat se qariban 32 ghante baad Amal me aayi, inna lillahi wa inna ilaihi raajioon _,"*

*★_ Tirmizi ki Rivayat se zaahir hai k Namaze Janaza ki adaygi ki ye Tajveez Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne batlayi thi aur Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ne isse ittefaq farmaya tha _,"*

*★"_ Nabi ﷺ ke janaze per ye Dua padhi jati thi :- (Tarjuma)- Beshak Allah aur uske Farishte Darood bhejte hai'n Nabi per , Ey imaan walo ! Tum bhi is ( Nabi ) per Darood aur Salam bhejo, Ey hamare Rab ! Hum haazir hai'n, Allah bartar aur Raheem ke , Mala'ika aur Nekokaaro ki, Ambiya v Siddiqeen aur Saaleheen neez har Tasbeeh karne wali cheez ki taraf se, Ey Rabbul Aalameen ! Muhammad ﷺ per Darood ho Jo Abdullah ke lakhte jigar, Khatimun Nabiyyeen, Tamaam Ambiya ke Sardaar, Muttaqiyo ke imaam aur Rasool E Rabbul Aalameen Hai'n, Jo teri taraf se Shahid aur darane wale aur maanind chamakte hue Suraj ke hai'n _," ( Zarkaani -8/293)*

*📓Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)- 145,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments