▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ RAHMATULLIL AALAMEEN ■*
*🌹صلى الله على محمدﷺ🌹*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ ★ *Part–3_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❀_ Khalq E Muhammadi ﷺ _,"*
*"_ Jo Waqiaat Likhe ja chuke hai'n unse Mukhtsar tor per un mushkilaat ka andaza ba khoobi hota hai Jinka Saamna Nabi ﷺ ko Apni Nabuwat ke izhaar, Apni Taleem ki isha'at aur us Taleem ke qubool karne walo ki hifazat me karna pada, Ek ese mulk me Jaha'n koi hukumat aur qanoon na tha, Jaha'n khoo'nrezi aur Qatl mamooli baat ho, Jaha'n ke Bashinde dehshat aur gaaratgiri me darindo ke mushaba, jahalat aur la Aqli me jaanwaro se badtar Ho'n, Ek ese daave ka pesh karna jo tamaam mulk ke nazdeek Ajeeb aur jumla Qaba'il me mukhalfat ki fori Aag Laga dene wala ho, Kuchh Asaan na tha,*
*★_ Fir us Daave ka esi haalat me sarsabz hona karodo Shakhso ki intehayi mukhalfat uske malyamet karne per dil se jaan se, zar se maal se, Saalha Saal muttafiq rahi ho, bilkul Taa'iyd Rabbani ka Saboot hai _,"*
*★_ Guzishta Waqiaat ke Zimn me Nabi ﷺ ke Akhlaq v Mahasin Sifaat v Mahamid ( Neki) ki chamak esi numaya hai jesi Ret me kundan aur un Waqiaat hi se ye pata lagta hai k mazloomi v bechargi aur mukhalfat ki haalato me yaksa'n saadgi v gurbat ke saath zindgi poori karne wala sirf wohi ho sakta hai jiske Dil per namoos ilaahi ne qabza kar liya ho aur use duniyavi bakhedo se paak kar diya ho _,"*
*★_ Nabi ﷺ ki Zindgi ke Mubarak Waqiaat har mulk aur har tabqa ke fard aur jama'ato ke liye behatreen Namoona aur misaal hai'n, is baab ke tahat Mai'n Mukhtsar tor per Aan Hazrat ﷺ ke Akhlaq ka zikr kar raha hu'n, Khalq E Muhammadi ﷺ esa lafz hai k Ab behatreen Buzurgo ke Aadaat v Akhlaq, Atwaal v Shama'il ke izhaar ke liye misaal ban gaya hai, Mai'n is jagah Kamalaat Nabuwat aur Khususiyaat Nabviya Alaihissalam ka zikr nahi karunga, Sirf Wo saada halaat likhne maqsood hai'n jinko koi Sa'adatmand Apne liye Namoona bana sakta hai, "Tumhare liye Rasulallah ﷺ behatreen Namoona mojood Hai'n _," ( Al Ahzaab -21)*
[4/20, 4:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyadna Muhammad Rasulallah ﷺ Ummi they, likhna padhna na jaante they aur Baisat Nabuwat ke zamane tak kisi Aalim ki sohbat bhi mayassar na hui thi, Teer Afgani, Shehsawari, Nezabazi, Sujagoi, Qasida khwani, Nasabdani us zamane ke ese funoon they jinhe Shareef khandan ka har ek nojaawan husoole sohrat aur izzat ke liye zaroor seekh liya karta tha aur jinke bager koi Shakhs mulk aur Qaum me izzat ya koi imtiyaz haasil na kar sakta tha _,"*
*★_ Nabi ﷺ ne in funoon me se kisi ko bhi ( iktsaban) haasil na Kiya tha aur na kisi per apni Dilchaspi ka izhaar Kiya tha _,*
*★_ Nabi ﷺ ki nisbat French Professor Sade likhta hai:- Aan Hazrat ﷺ khnda Ru, milansaar, Aksar Khamosh rehne wale, Ba kasrat zikrullah karne wale, Lagviyaat se door, behudapan se door, Behatreen raay aur behatreen Aql wale they _,"*
*"_ Insaaf ke maamle me qareeb v Ba'ied Aan Hazrat ﷺ ke nazdeek barabar hota tha, Masakeen se muhabbat farmaya karte, Gurba me reh kar khush hote, kisi faqeer ko uski Tangdasti ki vajah se haqeer na samjha karte aur kisi Badshaah ko Badshaahi ki vajah se bada na jaante, Apne paas bethne walo ki Taleef Quloob karte, Jaahilo ki harkaat per sabr farmaya karte, kisi Shakhs se khud Alhida na hote Jab tak k wohi na chala jaye, Sahaba Raziyallahu Anhum se Kamaale muhabbat farmaya karte, Safed Zameen per ( bila kisi masnad v farsh ke ) nashist farmaya karte, Apne joote ko khud gaa'nth lete, Apne kapde ko khud peband laga lete they, Dushmano se bhi ba kushada Peshani mila karte they _,"*
[4/21, 6:37 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hujjatul islam imaam Gazali Reh. Ye likhte hai'n:- Aan Hazrat ﷺ Maweshi ko chaara khud daal dete, Ou'nt ko baandhte, ghar me safaa'i kar lete, Bakri doh lete, Khadim ke saath Beth kar kha lete, Khadim ko uske kaam kaaj me madad dete, Bazaar se cheez khud ja kar khareed lete, khud use utha late, Har Adna v Aala ko Salam pehle kar diya karte, Jo koi saath ho leta uske haath me haath de kar chala karte, gulam v Aaqa, Habshi v Turki me Zara Farq na karte, Raat Din ka Libaas ek hi rakhte, Kesa hi koi haqeer Shakhs Dawat ke liye kehta qubool farma lete, Jo kuchh khana Saamne rakh diya jata use ba ragbat khate, Raat ke khane me se Subeh ke liye aur Subeh ke khane me se shaam ke liye utha na rakhte, Nek Dil Kareem Tabiyat, Kushada dil they magar Ha'nste na they _,"*
*★"_ Fikr mand rehte they magar Tursh Ru ( Chidchida pan ) na they, mutawaze, jisme danayat na thi, Sakhi they magar israaf na tha, Har ek per Raham farmaya karte kisi se kuchh Tama na rakhte, Sar Mubarak kar jhukaye rakhte they,*
*★_ Hakeemul Ummat Shaah Waliullah Reh. Likhte hai'n:- Jo koi Shakhs Aan Hazrat ﷺ ke saamne ek baar aa jata wo haibatzada ho jata aur jo koi paas aa bethta wo fidayi ban jata, Kunba walo aur Khadimo per bahut zyada meharban they, Anas Raziyallahu Anhu ne Das (10) saal tak khidmat ki, is arse me unhe bhi uff ( ho'nt) tak na kaha, Zubaan Mubarak per bhi koi gandi baat ya gaali nahi aati thi, na kisi per laanat kiya karte, Doosre ki Aziyat v Azaar per Nihayat sabr kiya karte, Khalqe ilaahi per Nihayat Rehmat farmate, Haath ya Zubaan Mubarak se bhi kisi ko shar na pahuncha, Kunba ki islaah aur Qaum ki durusti per Nihayat Tavajjo farmate, Har Shakhs aur har cheez ki qadar v manzilat se Agaah they, Aasmani Badshaahat ki jaanib hamesha nazar lagaye rakhte they _,"*
*★_ Sahi Bukhari me hai :- Aan Hazrat ﷺ mati ko basharat pahunchate, Aasi ko dar sunate, bekhabaro ko Panaah dete, Allah ke Bande v Rasool ﷺ jumla karobaar ko Allah per chhod dene wale, Na darasht kho, na Sakht go, Cheekh na bolte, Badi ka badla wesa na lete, maafi maangne wale ko maaf farmaya karte, Gunehgar ko bakhsh dete, Unki Taleem Andho ko Aankhe, Behro ko kaan deti, Gaafil Dilo ke parde utha deti hai, Aan Hazrat ﷺ har ek khoobi se Araasta Jumla Akhlaaq Fazila se mutasif , Sakina unka Libaas, Neki unka Sha'aar, Taqwa unka zameer, Hikmat unka kalaam, Adal unki Seerat hai, Unki Shari'at Sarapa Raasti, Unka millat islam, Hidayat unki Rahnuma hai, Wo zalalat ko utha dene wale, Gumnamo ko raf'at bakhshne wale, Majhoolo ko namoor kar dene wale, Qillat ko Kasrat aur Tangdasti ko Gina se badal dene wale hai'n _,"*
[4/30, 3:44 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sukoot aur Kalaam :-*
*"_ Nabi ﷺ Aksar Khamosh raha karte they, bila zarurat kabhi Guftgu na farmaya karte, Aan Hazrat ﷺ Nihayat Shiri Kalaam aur Kamaale Faseeh they, Kalaam me Sakhti Zara bhi na thi, Guftgu dala'il Aawez hoti thi k sunne Wale ke dil v rooh per qabza kar leti thi, Aan Hazrat ﷺ ka ye Wasf esa Muslama tha k mukhalif bhi iski shahadat dete they aur jaahil Dushman iska naam Sahar v jaadu rakha karte, Silsila Sukhan esa murattab hota tha jisme fafzan ma'anan koi khalal na hota tha, Alfaz esi tarteeb se Ada farmaya karte k Sunne wala chahe to Alfaz ko Shumar kar sakta tha _,"*
*★"_ Ha'nsna Rona:-*
*"_ Nabi ﷺ kabhi khilkhila kar Ha'nsna pasand na karte they Tabssum hi Aapka Ha'nsna tha_,*
*"_Namaze Tahajjud me basa Awqaat Aan Hazrat ﷺ ro pada karte, Kabhi kisi Mukhlis ke marne per Aab deeda ho jate, Aan Hazrat ﷺ ke Farzand Ibrahim Salamullah Alaihi doodh pite me guzar gaye they, Jab unhe qabr me rakha gaya to Huzoor ﷺ ki Aankho me Aansu bhar aaye _,"*
*"_ Farmaya - Aankho me nami hai, Dil me gam hai, Fir bhi hum wohi baat kehte hai'n Jo hamare Parwardigaar ko pasandida hai, Ibrahim! Humko Teri vajah se ranj hua _,"*
*★_ Ek dafa Apni nawasi Saa'ns Todti ( Dukhtar Zainab Raziyallahu Anha) ko god me uthaya, us waqt Huzoor ﷺ ki Aankho me paani bhar aaya, Sa'ad Raziyallahu Anhu ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ! Ye kya ? Farmaya - Ye wo Rahamdili hai jo Allah Apne Bando ke dilo me bhar deta hai aur Allah bhi Apne unhi Bando per Raham karega Jo Raham Dil hai _," ( Bukhari - 1303)*
*★_ Ek dafa ibne Masoud Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ ko Qur'an Majeed suna rahe they, Jab wo ( Surah Nisa - Aayat 41 ) per pahunche -*
*( Tarjuma) - Tab kesi hogi, Jab har ek Ummat per Allah Ek Ek Gawaah khada karega aur Aapko hum Sab ummato per Shahadat ke liye khada karenge _,"*
*"_ Farmaya - Bas thehro, ibne Masoud Raziyallahu Anhu ne Aa'nkh utha kar dekha to Nabi ﷺ ki Aa'nkho se Pani jaari tha _,"( Bukhari - 4582)*
[5/1, 5:51 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Giza Ke Mutalliq Hidayat:-*
*"_ Raat ko bhooke Sone se mana farmate aur esa karne ko Budhape ka sabab farmate, Khana khate hi so jane se mana farmaya karte, Taqleel Giza ki ragbat dilaya karte, Farmaya karte k maida ka ek Tiha'i hissa khane ke liye ek Tiha'i Pani ke liye, Ek Tiha'i hissa khud maida ke liye chhod dena chahiye _,"*
*"_ Phalo, Tarkariyo'n ka istemal unki maslah Cheezo ke saath farmaya karte _,"*
*★_ Marz aur Mareez :-*
*"_ muta'di Amraaz se bachav rakhte aur Tandurasto ko isse mohtaat rehne ka hukm diya karte, Bimaar ko Tabeeb Haaziq se ilaaj karane ka irshad farmate aur parhez karne ka hukm dete _,"*
*★_ Tabeeb Nadaan :- Nadaan Tabeeb ko ilaaj karne se mana farmate aur use mareez ke nuqsaan ka Zimmedar thehrate, Haraam Cheezo ko Bator dava istemal karne se mana farmate, irshad farmate - Allah ne Haraam Cheezo me tumhare liye shifa nahi rakhi _,*
*★_ Ayaadat Bimara'n :-*
*"_ Sahaba Raziyallahu Anhum me se koi Bimaar ho jata to uski Ayaadat farmaya karte, Ayaadat ke waqt mareez ke qareeb beth jate, Bimaar ko tasalli dete in Sha Allah farmaya karte, Mareez se poochh lete k kis cheez ko dil chahta hai, Agar wo cheez uske liye nuqsandah na hoti to uska intezam kar diya karte _,"*
*"_ Ek Yahoodi Ladka Aan Hazrat ﷺ ki khidmat kiya karta tha, Uski Ayaadat ko bhi Tashreef le gaye _,"*
[5/2, 11:50 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★"_ ilaaj :- Haalate marz me Dava ka istemal khud farmaya aur logo ko ilaaj karne ka irshad farmate:- Ey Bandgaane ilaahi Dava kiya karo Kyu'nki Allah ne har marz ki shifa muqarrar ki hai, Bajuz ek marz ke, Logo'n ne puchha wo kya hai ? Farmaya - Budhapa _," ( ibne maaja - 3436, Abu Daowd - 3855)*
*★_ Khutba Khwani :- Zameen ya Mimbar per khade ho kar Ya Ountni per Sawaar ho kar khutba farmaya karte, Jiska Agaaz Tashahud se aur Akhtaam istagfaar per hua karta, Quran Majeed is Khutbe me zaroor hota aur Qawa'id E islam ki taleem is khutba me di jaya karti thi _,"*
*"_ Khutba me wo baate zaroor bayan ki jati thi jinki Sare dast ( us waqt) Musalmano ko zarurat hoti aur Waqt v Zarurat ke aitbaar se Khutbe me sab kuchh bayan hua karta _,"*
*★_ Ese Khutbe Juma ke din per hi moqoof na hote balki jab zarurat aur moqa hota tab hi logo ko kalaam paak se mustfeed farma diya karte they, Khutba ke waqt haath me asa hota, Kabhi kamaan, un per asnaye taqreer me tek bhi lagaya karte they, Khutba ke waqt Talwar kabhi haath me na hoti thi, na us per tek lagya karte _,"( Abu Daowd -1096, 1145)*
*★_ Allama ibne Qayyim Rahmatullah ye kehte hai'n:- Jaahilo ka qaul hai k Nabi ﷺ Mimbar per Talwaar le kar khade hua karte they, Goya ishara ye tha k Deen Ba zor Shamsheer qaa'im kiya gaya hai, Allama kehte hai'n Jaahilo ka ye qaul galat hai, Talwaar per khutba me tek lagana saabit nahi, Khutba Khwani ka Agaaz Madina Munawwara me hua tha aur Madina Munawwara ba zariye Qur'an Fateh hua tha, na Ba Zariye Talwaar, fir Allama Mosoof ye batlate hai'n k Deen to Wahi se qaa'im hua hai_,"*
[5/4, 5:12 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sadqa v Hadiya :-*
*"_ Sadqa ki koi cheez Hargiz istemal na karte, Albatta Hadiya qubool farmate Mukhliseen Sahaba neez Iysaa'i aur Yahoodi jo cheeze tohfa bhejte, Unhe qubool farma lete, Unke liye khud bhi Tohfe irsaal farmate, magar Mushrikeen ke Hadaya ( Tohfe) lene se inkaar farmate, Maquqas Muti Shaah Misr ke bheje hue Khachchar per Huzoor ﷺ ne Sawaari farmayi aur Junge Hunain ke din wohi Khachchar Aan Hazrat ﷺ ki Sawaari me tha, Lekin Aamir bin Maalik ke bheje hue Ghode ko qubool karne se inkaar farma diya aur irshad kiya k hum Mushrik se Hadiya qubool nahi karte _," ( Zaadul Ma'ad- 2/161)*
*★"_ Jo Qeemti Tohfe Aan Hazrat ﷺ ke paas aaya karte Aksar Awqaat unhe Aan Hazrat ﷺ Apne Sahaba Raziyallahu Anhum me Taqseem farma diya karte _,"*
*★"_ Apni Tareef :- Apni esi Tareef jisse kisi doosre Nabi ki kami nikalti, Pasand na farmaya karte aur irshad karte - Nabiyo'n ke zikr me esi Tarz Akhtyar na karo k ek doosre ke Muqable me Kami nikalti ho _," ( Bukhari -2412, Muslim - 6165)*
*★_ Ek Byaah me Tashreef le gaye, Waha'n chhoti chhoti ladkiya'n Apne Buzurgo me Tareekhi Kaarname ga rahi thi, Unhone ye bhi gaya k Hamare darmiyan esa Nabi hai Jo Kal ( Gaib ) ki baat Aaj bata deta hai, Nabi ﷺ ne farmaya - Ye na kaho Jo pehle kehti thi wohi kahe jao _," ( Bukhari - 126)*
*★"_ Izhaar E Haqeeqat Ya Josh E Aqeedat ki islah :-*
*"_ Sayyadna Ibrahim Farzand Rasulallah ﷺ ka inteqal ho gaya, Us Roz Suraj Grahan hua, Log kehne lage k Ibrahim ki maut ki vajah se Suraj bhi gehnaya gaya, Nabi ﷺ ne Logo'n ke majme me Khutba padha aur farmaya k Suraj Chaand kisi ke marne ya Jeene per nahi gehnaya karte _," ( Bukhari - 1043, 1060, Muslim - 610, Abu Daowd - 4668)*
[5/5, 7:51 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★"_ Maslihat Aamma ka Lihaaz :- Jab Quresh ne islam se pehle Kaaba ki imaarat banayi to Unhone kuchh to imaaraat Ibrahimi me se andar ki jagah ( Hateem) bahar chhod di, fir Kursi itni ou'nchi rakhi k Zeena lagana pade aur Baitullah me Darwaza bhi sirf ek hi rakha, Nabi ﷺ ne ek Roz Ayesha Tayyaba Raziyallahu Anha se farmaya - Quresh ko Musalman hue thode hi din hue Hai'n varna Mai'n imaarat ko gira deta, Kaaba me Do Darwaze rakhta, Ek aane ka aur ek jaane ka _", ( Bukhari -126)*
*★_ Bashirat v Risalat:- Nabi ﷺ un Ahkaam ko jo Shane Risalat se zaahir hote un Afwaal v Aqwaal se Bator Bashirat saabit hote hamesha numaya tor per Alahida Alhida rakhne ki Sa'i farmate, Ek dafa farmaya - Mai'n Bashar hu'n, mere saamne jhagde aate Hai'n, Koi Shakhs doosre fareeq se Apne mudda ko behtar Tareeqe per ada karne wala hota hai, Jisse guman ho jata hai k wo sachcha hai aur Mai'n uske Haq me faisla kar deta hu'n, pas Agar kisi Shakhs ko kisi Musalman ke hisse me se us faisle me ba mojib kuchh milta ho to wo samajh le k ye ek Aag ka Tukda hai, Ab khwah le khwah chhod de _," ( Bukhari - 2458, 2680, Musnad Ahmad-6/308)*
*★_ Barirah Raziyallahu Anha se Aan Hazrat ﷺ ne Mugees Raziyallahu Anhu unke Shohar ki sifarish ki, Jisse wo boja Azaadi ( Huriyat) Alahida ho chuki thi, Barirah Raziyallahu Anha ne puchha - Ya Rasulallah ﷺ kya Aap hukm de rahe hai'n, Farmaya - nahi, Mai'n Sifarish karta hu'n, Wo boli - Mugees Raziyallahu Anhu ki haajat nahi _," ( Bukhari - 5282)*
*★"_ Ahle Madina nar Khajoor ka Bor Maada Khajoor per daala karte they, Aan Hazrat ﷺ ne farmaya - iski kya zarurat hai, Ahle Madina ne ye Amal chhod diya, Natija ye hua k Phal darakhto per Kam laga, Logo ne is bare me Aan Hazrat ﷺ se guzarish ki, Farmaya - Duniya ke kaam Tum mujhse zyada jaante ho, Jab Mai'n koi kaam Deen ka batlaya karu'n to uski pervi kiya karo _,"*
[5/6, 6:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Bachcho per Shafqat :- Bachcho ke qareeb se guzar farmate to unko khud Assalamu Alaikum kaha karte, Unke Sar per haath rakhte, Unhe god me utha lete _,"*
*★_ Budho per inayat :- Fateh Makka ke baad Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Apne Budhe Zaief Faqidul Basar Baap ko Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me Bayt islam karane ke liye laye, Nabi ﷺ ne farmaya:- Tumne Budhe ko kyu takleef di, Mai'n khud unke paas chala aata _,"*
*★"_ Arbaab E Fazal ki Qadro v Manzilat:- Sa'ad bin Ma'az Raziyallahu Anhu ko jo Khandaq me Sakht zakhmi ho gaye they, Yahudiyaan Bani Qureza ne Apna hakam aur munsif tasleem kar ke bulaya tha, Wo Masjid tak pahunche to Aap Nabi ﷺ ne Apne Sahaba Raziyallahu Anhum se Jo Oas ke they, Farmaya - Apne Sardaar ki peshwa'i ko jao, log gaye, Unko Aage badh kar le aaye_,*
*★"_ Hassan bin Saabit Raziyallahu Anhu islam ki Taa'iyd aur mukhalfeen ke jawab me Ash'aar Nazm kar ke late to unke liye Masjide Nabvi ﷺ me Mimbar rakh diya jata, Jis per chadh kar Ash'aar padha karte they _,"*
*★"_ Khadim Ke liye Dua :- Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ne 10 Saal tak Madina me Aan Hazrat ﷺ ki khidmat ki, Is Arsa me kabhi unse ye na kaha k ye kaam kyu kiya, Ye kyu na Kiya, Ek Roz unke Haq me Dua farmayi :- ilaahi ! Ise maal bhi bahut de aur Aulaad bhi bahut de aur jo kuchh ise ata kiya jaye usme Barkat bhi de _,"*
[5/7, 6:43 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Adab v Tawazo :-*
*"_ Majlis me kabhi Paa'nv faila kar na bethte, Jo koi mil jata use Salam pehle khud kar dete, Musafa ke liye khud pehle haath faila dete _,"*
*★"_ Sahaba Ko kunniyat ke naam se pukarte ( Arab me izzat se bulane ka yahi Tareeqa hai) Kisi baat bhi qata na farmate, Agar Namaz nifl me hote aur koi Shakhs paas aa bethta to Namaz ko Mukhtsar kar dete aur uski zarurat poori kar dene ke baad fir Namaz me mashgool hote, Aksar Mutabaasum rehte _,"*
*★_ Aan Hazrat ﷺ ki ek Naaqa (Ou'ntni) ka naam Uzba tha, Koi jaanwar usse aage nahi badh saka tha, Ek A'raabi Apni Sawaari per aaya aur Uzba se aage nikal gaya, Musalmano ko ye bahut hi Shaaq guzra, Nabi ﷺ ne farmaya - Duniya me Allah ki sunnat yahi hai k kisi ko Ou'ncha uthata Hai to use nicha bhi dikhata hai _," ( Bukhari -2872)*
*★_ Ek Shakhs aaya, Usne Nabi ﷺ ko Ya Khairul Bariya ( Bar Tareen Khalq ) keh kar bulaya, Nabi ﷺ ne farmaya - Ye Shaan to Ibrahim Alaihissalam ki hai _," ( Muslim -6138, Abu Daowd -3352, 4672)*
*"_Ek Shakhs haazir hua, Nabi ﷺ ki haibat se laraz gaya, Nabi ﷺ ne farmaya - Kuchh Parwaah na karo, Mai'n Baadshah nahi hu'n, Mai'n Quresh ki ek gareeb Aurat ka Farzand hu'n Jo Sookha gosht khaya karti thi _," ( ibne Maaja -3312)*
[5/8, 8:34 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Shafqat v Raafat :-*
*"_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha kehti hai'n:- Koi Shakhs bhi achchhe Khalq me Aan Hazrat ﷺ jesa na tha, Khwah koi Sahabi bulata ya Ghar ka koi Shakhs Nabi ﷺ uske jawab me Labbek ( Haazir) hi farmaya karte _,"*
*★_ ibaadat Nafila chhup kar ada farmaya karte taki Ummat per is qadar ibaadat karna Shaaq na ho, Jab kisi maamle me Do Soorte saamne aati ho to Asaan ba Soorat ko Akhtyar farmate _,"*
*★"_ Allah paak ke saath Muahida kiya k Jis kisi Shakhs ko Mai'n gaali du'n ya Laanat karu'n Wo gaali uske Haq me Gunaho ka Kaffara, Rehmat v Bakhshish aur Qurb ka zariya bana di jaye _," ( Bukhari -6361, Muslim - 2007,2009 Musnad Ahmad-2/390)*
*★_ Farmaya-Ek doosre ki baate mujhe na sunaya karo, Mai'n Chahta hu'n k Duniya se jau'n to Sabki taraf se Saaf Seena jau'n _,"*
*"_ Waaz v Nasihat kabhi kabhi farmaya karte taki log ukta na jaye'n _,"*
*★_ Ek baar Suraj Grahan hua, Namaze Kusoof me Nabi ﷺ rote they aur Duae'n farmate they, Ey Parwardigaar Tune Vada farmaya hai k in logo ko Azaab na diya jaye (1) jab tak Mai'n inke darmiyan mojood hu'n (2) Jab tak ye istagfaar karte rahe'n, Ab Ey Allah Mai'n mojood hu'n aur Sab istagfaar bhi kar rahe hai'n _,"*
*"_Har ek Nabi ke liye Ek Ek Dua thi, Wo maangte rahe aur Dua qubool hoti rahi, Mai'ne Apni Dua ko Apni Ummat ki Shafa'at Roze Qayamat ke liye Mehfooz rakha hai _," (Bukhari -6304)*
[5/9, 9:11 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Adal v Raham :- Agar Do Shakhso ke darmiyan jhagda hota to Adal farmate aur Agar kisi Shakhs ka Nafs Mubarak ke saath koi maamla hota to Raham farmate _,"*
*★"_ Fatima Naami ek Aurat ne Makka me chori ki, Logo'n ne Osama Raziyallahu Anhu se Jo Aan Hazrat ﷺ ko bahut pyare they, Sifarish karayi, Nabi ﷺ ne farmaya - Kya tum Hudood E ilaahi me Sifarish karte ho ? Suno ! Agar Fatima bint Muhammad (ﷺ) bhi esa karti to bhi Mai'n Had jaari karta _," ( Bukhari - 2648)*
*★"_ Sawaad bin Umar Raziyallahu Anhu kehte hai'n k wo ek Roz Aan Hazrat ﷺ ke saamne Rangeen kapda pehan kar gaye, Aan Hazrat ﷺ ne Hut Hut farmaya aur Chhadi se unke Shikam me thoka bhi diya, Maine kaha - Ya Rasulallah ﷺ! Mai'n Qasaas lunga, Aan Hazrat ﷺ ne jhat Apna Shikam barhana kar ke mere saamne kar diya _," (Al Shifa Fi Huqooq Al Mustafa Qazi Ayaaz - 311)*
*★"_ Dushmano per Meharbani :- Makka me sakht Qahat pada, Yaha'n tak k Logo'n ne murdaar aur Haddiya'n bhi khana shuru kar diye, Abu Sufiyan bin Harb ( Un dino bahut bada Dushman tha) Nabi ﷺ ki khidmat me aaya, Arz kiya - Muhammad ﷺ! Aap to Logo'n per Silah Raham ( Husne Sulook ba qarabat daraan) ki taleem diya karte hai'n, Dekhiye Aapki Qaum Halaak ho rahi hai, Allah se Dua kijiye, Nabi ﷺ ne Dua farmayi aur khoob baarish Hui _," ( Bukhari -1007, 1020)*
*★_ Sumama bin Usaal Raziyallahu Anhu ne Najad se Makka ko jane wala Galla band kar diya isliye k Ahle Makka Aan Hazrat ﷺ ke Dushman hai'n, Aan Hazrat ﷺ ne unhe esa karne se mana farma diya,*
*"_ Hudebiya ke Maidan me Aan Hazrat ﷺ Sahaba Raziyallahu Anhum ke saath Namaze Subeh padh rahe they, 70-80 Aadmi chupke se Kohe Taniym se utre taki Sahaba Raziyallahu Anhum ko namaz padhte hue qatl kar de'n, Ye sab giraftaar ho gaye aur Nabi ﷺ ne unko bila kisi fidiya ya saza ke Azaad kar diya _," ( Muslim -679)*
[5/10, 6:01 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jodo Karam :-*
*"_ Saa'il Ko bhi kabhi gussa na farmate, Zubaan Mubarak per Harfe inkaar na laate, Agar kuchh bhi dene ko paas na hota to Saa'il se uzr karte, Goya koi Shakhs maafi chahta hai _,"*
*★"_ Ek Shakhs ne aa kar Sawal kiya, Aap ﷺ farmaya - Mere Paas to is waqt kuchh nahi hai, Tum mere naam per Qarz le lo, Mai'n fir use utaar du'nga, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne kaha k Allah ne Aapko ye Takleef nahi di k qudrat se badh kar kaam kare'n, Nabi ﷺ chup ho gaye, Ek Ansari ne paas se keh diya - Ya Rasulallah ﷺ khoob dijiye, Rabbul Arsh Maalik hai, Tangdasti ka kya dar hai, Nabi ﷺ Ha'ns pade, Chehra Mubarak per Khushi ke Asaar Aashkaar ho gaye, Farmaya - Haa'n mujhe yahi hukm mila hai _,"*
*★_ Ek baar ek Saa'il Ko Aadha Wasq ( 126 kg) Galla Qarz le kar dilaya, Qarz khwah Taqaza ke liye aaya, Nabi ﷺ ne farmaya - ise ek Wasq Galla de do, Aadha to Qarz ka hai aur Aadha hamari taraf se Jodo Sakha ka hai _,"*
*"_ Farmaya karte, Agar koi Shakhs maqrooz mar jaye aur maal baqi na chhode to hum use ada karenge aur Agar koi maal chhod kar mare to wo Haq Vaariso ka hai _," ( Bukhari- 2298, 2398)*
[5/11, 6:55 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sharm v Haya :-*
*"_ Abu Saied khudri Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Parda Nasheen Ladki se badh kar Nabi Kareem ﷺ me Haya thi _," ( Bukhari-3562, 6102, Ibne maaja -418)*
*★_ Jab Koi esi baat Huzoor ﷺ ke Saamne ki jati jisse Huzoor ﷺ ko karahat hoti to Chehra Mubarak se foran maloom ho jata tha _,"*
*"_ Ayesha Tayyaba Raziyallahu Anha ka bayan hai k Agar kisi Shakhs ki koi Harkat Nabi ﷺ ko pasand na aati to uska naam le kar mana na farmate balki Aam Alfaaz me us Harkat v Fail ki nahi farma dete _," ( Abu Daowd -4788)*
*★_ Adaat v Maamlaat me Apni Jaan per Takleef utha lete magar doosre Shakhs ko Az Raah Sharm kaam karne ko na farmate, Jab koi uzr khwah Saamne aa kar maafi ka taalib hota to Aan Hazrat ﷺ Sharm se gardan Mubarak jhuka lete _,"*
*"_ Ayesha Tayyaba Raziyallahu Anha ka qaul hai k Maine Aan Hazrat ﷺ ko barhana kabhi nahi dekha _," ( Tirmizi fi Al Shima'il -358)*
[5/12, 8:31 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sabr v Hilm :-*
*"_ Zaid bin Saana Raziyallahu Anhu ek Yahoodi Tha, Nabi ﷺ ne Uska Qarz dena tha, Wo ek Roz aaya , Aate hi Chaadar Aapke Shaana se utaar li, Jism ke kapde pakad liye aur darane laga k Abdul Muttalib wale bade Naade hind ( Qarz le kar Waapas na karne wale ) hote hai'n, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne use Sakhti se jhatak diya, Nabi ﷺ Ha'ns pade, Farmaya - Umar Tumhe laazim tha k mere saath aur, uske saath aur tarah bartaav karte, Mujhe husne adaygi ke liye kehte aur use Husne Taqaza sikhlate _,"*
*★"_ Fir Zaid ki jaanib Huzoor ﷺ mukhatib hue, farmaya - Abhi Vaade me Teen din baqi hai, Fir Umar Raziyallahu Anhu se farmaya - iska Qarz ada kar do, Use 20 Sa'a zyada bhi dena kyunki tumne use dhamkaya aur daraya bhi tha _,"*
*★_ Ek A'raabi aaya usne Zor se Aan Hazrat ﷺ ki chaadar ko jo mote kinaare ki thi jhatka diya, Wo Kinara Aan Hazrat ﷺ ki gardan me gad gaya aur Nishan pad gaya, A'raabi ne ab zubaan se ye kaha - Muhammad ﷺ Allah ka maal jo tumhare paas hai Jo na tumhara hai aur na tumhare baap ka hai, Usme se ek baar Shutar mujhe bhi dilaa'o,*
*"_ Nabi ﷺ ne Zara Khamoshi ke baad Farmaya- maal Beshak Allah ka hai aur Mai'n uska Gulaam hu'n, Bil Aakhir hukm farmaya k ek baar Shutar Jo aur Ek baar Shutar khajoor ise di jaye _,"*
*★_ Taa'if me Aan Hazrat ﷺ waaz aur Tableeg ke liye Tashreef le gaye they, Waha'n ke Bashindo ne Aan Hazrat ﷺ per keechad fai'nka, Awaaze lagayi, itne patthar maare k Huzoor ﷺ lahu se tar batar aur behosh ho gaye, Fir bhi yahi farmaya k Mai'n in logo ki halakat nahi chahta, kyunki Agar ye imaan nahi laate to ummeed hai k inki Aulaad Musalman ho jayegi _,"*
[5/14, 8:39 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Afu v Raham :-*
*"_ Ayesha Tayyaba Raziyallahu Anha ka bayan hai k Nabi ﷺ ne Apni zaat Mubarak ki baabat kisi se inteqam na liya _," ( Bukhari- 3530, Muslim- 2367 Abu Daowd- 4785)*
*★_ Junge Uhad me Mushrikeen me Nabi ﷺ ke Daa'nt tode, Sar Phoda, Huzoor ﷺ ek gaar me bhi gir gaye they, Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya k in per Bad Dua farmaye'n, Nabi ﷺ ne farmaya- Mai'n Laanat karne ke liye Nabi nahi banaya gaya, Allah ne mujhe Logo'n ko Apni baargaah me bulane ke liye bheja hai, Rehmat bana kar bheja hai, iske baad ye Dua farmayi - Ey Allah! Meri Qaum ko hidayat farma, Wo ( mujhe) nahi jaante _," ( Muslim - 4645, 4646)*
*★_ Ek Darakht ke niche Aan Hazrat ﷺ so gaye, Talwaar Shaakh per rakh di, Gors bin Alharaas aaya, Talwaar nikaal kar Nabi ﷺ ko gustakhana jagaya, Bola - Ab tumko kon bachayega ? Farmaya - Allah , Wo chakkar kha kar gir pada, Aan Hazrat ﷺ ne talwaar utha li, Farmaya - Ab tujhe kon bacha sakta hai ? Wo hairaan ho gaya, Aap ﷺ ne farmaya - Jao Mai'n Badla nahi liya karta _," ( Bukhari-4135, Muslim - 595, Ahmad - 1/ 311)*
*★_ Hibaar ne Aan Hazrat ﷺ ki beti Zainab Raziyallahu Anha ke neza maara, Wo hodaj se niche gir gayi'n aur Hamal Saaqit ho gaya tha aur bil Aakhir yahi Sadma unki maut ki vajah hua, Hibaar ne Afu ( maafi) ki iltija ki aur use maaf farmaya _," ( Fatahul Baari- 8/88, Kanzul Ummal-33660)*
*★"_ Farmaya - Zamana Jaahiliyat se le kar Jin baato per Qaba'il me Aapas me Jung v Jadal chala aata hai, Mai'n sabko mitata hu'n aur sabse pehle Apne khandaan ke khoon ka Daava aur Apne Chacha ki Qarz ki Raqam ko maaf karta hu'n _," ( Khutba Nabvi ﷺ Ba Roz Fateh Abu Daowd -1905, ibne maaja -3074, Ahmad -5/73)*
[5/15, 11:34 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sidq v Amanat :-*
*"_ Jaani Dushman bhi Nabi ﷺ ke in Ausaaf ke qaa'il they, Saadiq v Ameen bachpan hi se Aan Hazrat ﷺ ka khitaab pad gaya tha, inhi Ausaaf ki vajah se Nabuwat se pehle bhi log Apne muqadmaat ko faislo ke liye Aan Hazrat ﷺ ke paas laya karte they _,"*
*★_ Ek Roz Abu Jahal ne kaha :- Muhammad ﷺ Mai'n tujhe jhoota nahi Samajhta lekin Teri Taleem per Mera Dil hi nahi thehrata _," ( Tirmizi -3064, Haakim -2/315)*
*★"_ Shabe Hijrat ko Mushrikeen ne To Aan Hazrat ﷺ ke qatl ka mashwara aur ittefaq kiya tha aur Huzoor ﷺ ne pyare Bhai Ali Raziyallahu Anhu ko isliye pichhe chhoda k unki Amanato ko ada kar ke aana _,"*
*★_ Iffat v Asmat :-*
*"_ Aan Hazrat ﷺ farmate hai'n, Ayyame Jaahiliyat ki Rasmo me se maine kabhi kisi ke bhi hissa nahi liya, Sirf 2 dafa iraada kiya tha k Allah Ta'ala ne mujhe khud hi bacha liya_,"*
*"_ 10 Baras se kam Umar thi, maine us charwahe ki jiske saath Bakriya'n charata tha kaha Agar tum meri Bakriya'n sambhale rakho to Mai'n Makka ( Abaadi ke andar) jau'n, jese aur nojaawan kahaniya'n kehe sunte hai'n, Mai'n bhi kahaniya'n kahu'n Sunu, is iraade se Mai'n Shehar ko aaya, Pehle hi ghar pahuncha tha k waha'n Daf v Mazameer baj rahe they, us ghar me byaah tha, Mai'n unhe dekhne laga, Neend ne galba kiya, Mai'n So gaya, Jab Suraj nikla tab Aa'nkh khuli _,"*
*"_ Ek dafa fir esi hi niyat se aaya tha, Usi tarah neend aa gayi aur waqt guzar gaya, in Do Waqiaat ke Siva maine kabhi makruhaate Jaahiliyat ka iraada bhi nah kiya _," ( Al Shifa -1/180)*
[5/16, 7:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ahad E Nabuwat se pehle ka zikr hai Zaid bin Amru bin Nufail ne Nabi ﷺ ki Dawat ki, Dastar khwan per gosht bhi aaya, Nabi ﷺ ne farmaya - Mai'n Wo gosht nahi khata Jo Buto ya Asthano ki qurbani ka ho, Mai'n to sirf wohi gosht khaya karta hu'n Jis per zibeh ke waqt Allah ka naam liya gaya ho _," ( Bukhari-5499)*
*★_ Aan Hazrat ﷺ ki Dua ye thi :- Ilaahi ! Ek Din bhooka rahu'n, Ek Din khane ko mile, Bhook me tere Saamne godgidaya karu'n, Tujhse maa'nga karu'n aur kha kar Teri Hamdo Sana kiya karu'n_," ( Al-Shifa 62)*
*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha kehti hai'n ek ek mahina barabar hamare choolhe me Aag Roshan na hoti, Huzoor ﷺ ka kunba Pani aur Khajoor per guzara karta _," ( Bukhari - 6455)*
*"_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha kehti hai'n Nabi ﷺ ne madina aa kar teen din tak barabar ge'nhu ki Roti kabhi nahi khayi _," ( Bukhari -6454)*
*"_ Nabi ﷺ ne inteqal farmaya to us waqt Aan Hazrat ﷺ ki Zirah ek Yahoodi ke paas ba aivaz Galla Jo Rehan thi _," ( Bukhari -2916)*
*★_ Aan Hazrat ﷺ is Duniya ki Aakhri Shab me they k Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne pados se chiraag ke liye tel mangwaya tha _," ( Bukhari -2916)*
*"_ Aan Hazrat ﷺ Dua farmaya karte - ilaahi ! Aale Muhammad ﷺ ko sirf itna de jitna pet me daal le'n _," ( Bukhari - 6460)*
*★_ Ye Yaad rakhna chahiye k Zuhad ki ye Tamaam Soorte Akhtyari thi, Lachari kuchh na thi aur is Zuhad se maqsood Nabi ﷺ ka ye na tha k kisi Halaal cheez ke istemal me koi rok paida kare'n, ese khayal se sirf ek Baar Nabi ﷺ ne Shehad ko chhod diya tha, iski vajah ye thi k ek Bivi ne Shehad ki boo ko Apni tabiyat ke khilaaf bataya tha, Allah Az v Jal ne Nabi ﷺ se farmaya - ( Surah Tehreem -1):-*
*"_Ey Nabi ! Jo cheez Allah ne tumhare liye halaal ki hai, Tum Apni Biviyo'n ki khushnoodi haasil karne ke liye use kyu haraam karte ho ? Aur Allah bahut bakhshne wala Bahut Meharban hai _,"*
[5/17, 6:30 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sanaf E Zaief ( Aurto'n) ki iaanat aur unki Asha'ish ka khayal :-*
*"_ Ummul Momineen Safiya Raziyallahu Anha ek Safar me saath thi'n, Wo Tamaam Jism ko chaadar se dhaa'np kar Ou'nt ki pichhli nashist per Nabi ﷺ ke saath Sawaar hua karti thi'n, Jab Wo Ou'nt per Sawaar hone lagti tab Aan Hazrat ﷺ Apna ghutna aage badha dete, Safiya Raziyallahu Anha Apna Paa'nv Aan Hazrat ﷺ ke ghutne per rakh kar Ou'nt per chadh jaya karti thi'n _, ( Bukhari - 3085, 3086)*
*★_ Ek dafa Ou'ntni ka Paa'nv fisla, Nabi ﷺ aur Ummul Momineen Safiya Raziyallahu Anha dono gir pade, Abu Talha Raziyallahu Anhu daude daude Rasulallah ﷺ ki taraf mutavajjah hue, Nabi ﷺ ne farmaya - Tum pehle Aurat ki khabar lo _," ( Fatahul Baari- 528, Tabqaat ibne Sa'ad - 8/88)*
*★_ Ek Safar me Ou'nto ke Kajawo me Aurte'n Sawaar thi'n, Saarbaan Jo Ou'nto ki muhaar pakde jata tha, Hadi Khwani karne laga, Hadi esi Awaaz se Shayr padhne ko kehte hai'n jisse Ou'nt tez chalne lagte hai'n, Nabi ﷺ ne farmaya dekho Kaa'nch ke Sheesho ko tod fod na dena _," ( Bukhari - 3085, 3086)*
*"_ is irshad me Aurto'n ko Kaa'nch ki Cheezo se Nabi ﷺ ne Tashbeeh di, Nafasat v Nazakat ke alawa Vajahe Tashbeeh Aurto'n ki Sanaf E khalqat jiski vajah se wo hamesha Araam aur Asha'ish ki mustahiq hai'n _,"*
[5/18, 5:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aseeran E Jung ( Qaidiyo'n) Ki Khabargiri _,"*
*"_ Aseeran E Jung ki Khabargiri Mehmano ki tarah ki jati thi, Junge Badar me Jo Qaidi Madina Munawwara me Chand Roz tak Musalmano ke paas qaid rahe, Unme se ek ka bayan hai- Allah Musalmano per Raham kare, Wo Apne Ahlo Ayaal se Achchha humko khilate they aur Apne kunbe se pehle hamare Araam ki fikr karte they, Jab Qaidi Aseer ( Qaid) ho kar aate to Nabi ﷺ pehle unke Libaas ki fikr kiya karte _," ( Bukhari -6149, 6161, 6211, Muslim 6036 se 6040)*
*★_ Mardana Varzishe'n :- Mardana Varzisho'n ka Shoq dilaya karte, Rukana Arab ka Mash'hoor pehalwan tha, Wo Apne pachhade jane ko islam lane ki shart thehrata tha, Nabi ﷺ ne use Teen baar pachhad diya tha _," ( Bukhari - 3008)*
*★_ Teer Afgani ( Teerandazi ):-*
*"_ Nishana Bazi ka logo ko shoq dilaya karte, Nishana Bazi ki mashq ke liye logo ko do hisso ke baa'nt diya karte they, Ek dafa farmaya:- Teer chalao, Mai'n us parti ki taraf hu'nga, Ye Sun kar doosri parti ne teer chalane se haatho ko rok liya, Sabab puchha gaya, Unhone kaha - Jab us parti me Rasulallah ﷺ shamil hai'n to hum uske Muqable me kyukar Teer Afgani ( Neza Bazi ) kar sakte hai'n? Nabi ﷺ ne farmaya - Teer chalao, Mai'n tum sabke saath hu'n _," ( Bukhari - 2899, 3373)*
*★"_ Ghud Daud :- Ghodo ki daud Aan Hazrat ﷺ ke hukm se karayi jati thi, Lambi Daud 6 meel ki aur halki daud ek Meel ki hoti thi _,"*
[5/19, 6:51 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mardum Shumari :-*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Tamaam Kalmago Shakhso ke naam mere mulahiza ke liye qalam band kiye jaye'n, is hukm ki tameel hui, Us Waqt Musalmano ka Shumar 1500 hua, is tadaad per Sahaba Raziyallahu Anhum ne Allah ka Shukr ada kiya, Khushi manayi, Sahaba Raziyallahu Anhum farmate they hum 1500 ho gaye hai'n, Ab hume kya dar raha hai, Humne To wo Zamana dekha hai Jab humme se koi Akela hi namaz padha karta tha aur use har taraf se Dushmano ka khof laga rehta tha _," ( ibne maaja -4029, Ahmad - 5/384)*
*★_ Afsos hai k is Rivayat se ye pata nahi lagta k ye Shumar kis Sanad me hua, Sahi Bukhari ki digar Rivayaat se To ye maloom hota hai k Ye teesri Mardum ( Muslim ) Shumari thi, Pehli dafa ke Shumar me Musalmano ki tadaad 500 doosri dafa ke Shumar me 600 aur 700 ke darmiyan tadaad thi,*
*★_ Talimaat E Risalat ﷺ :-*
*"_ Aan Hazrat ﷺ ki Taleem E Paak, Aitqadaat, Aadaat, Mamlaat, ibadaat, Mulhikaat, Minjiyaat, Ahsaniyaat, Nabi ﷺ ki Afzaliyat aur islam ki bartari ka madaar isi taleem per hai _,"*
*★_ Allah ka Haq Bando per, Bando ka huq Allah per :-*
*"_ Allah Ka Haq Bando per ye hai k Bande usi ki ibaadat kare'n aur kisi cheez ko bhi uska Shareek na banaye'n, Bando ka Haq Allah per ye hai k Jab wo Allah ke Haq ada kare'n Tab wo unhe Azaab na de _," ( Bukhari- 2856, 7373)*
[5/20, 10:30 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Rehmate ilaahi :-*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Allah ne us kitaab me jo uske paas Arsh per hai likha rakha hai:- Meri Rehmat mere gazab per gaalib hai _," ( Bukhari -7553, 7554)*
*★_ Khidmat E Walden:-*
*"_ Ek Shakhs ne Nabi ﷺ ki khidmat me aa kar arz kiya k Mai'n jihaad karna chahta hu'n, Nabi ﷺ ne puchha - tere Maa'n Baap Zinda hai ? Wo bola - Haa'n, Farmaya - unki khidmat me jihaad ( Had darja koshish) karo _," ( Bukhari - 3004, 5972)*
*★_ Nusrat E Baahami :-*
*"_ Ek Momin doosre Momin ke liye esa hai jese buniyad ki iy'nte ek doosre ko quwaat milti hai, fir Apne ek haath ki ungliyo'n ko doosre haath me daal kar dikhaya, Yani momin is tarah mile Jule rehte hai'n_," ( Bukhari- 481, 2646)*
*"_ Musalman kon hai ? Musalman wo hai jiski zubaan aur haath se Musalman bache rahe_," ( Bukhari - 11)*
*★_ imaan ka kamaal :-*
*"_ Tumme se koi shakhs momin nahi ban jata jab tak k wo Apne Musalman Bhai ke liye bhi wohi kuchh pasand na kare jo Kuchh khud Apne liye pasand karta hai_," ( Bukhari- 13)*
[5/21, 9:29 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sheerni Bayan :-*
*"_ Teen baate hai'n, Jis Shakhs me ye ho'ngi wo imaan ki halawat chakh lega :-*
*(1)_ Allah aur Allah Ke Rasool ﷺ ki Muhabbat use Sabse badh kar ho_,"*
*(2)_ Kisi Bhai se Allah Ke Liye Muhabbat rakhta ho, Koi Garz Shamil na ho _,"*
*(3)_ Kufr me Ja padne ko esa bura jaanta ho, Jese Aag me gir jane ko Samajhta ho _," ( Bukhari -16)*
*★_ Pasandida A'maal:-*
*"_ Logo'n ne Aan Hazrat ﷺ se daryaft kiya k Allah Ta'ala Ko konsa Amal Zyada pasand hai, Aap ﷺ ne farmaya - Jo Amal hamesha kiya jaye Agarche miqdaar me kam hi ho, Fir farmaya - Amal ( ibaadat) utna hi karo jise Ba Asaani kar sako _," ( Bukhari - 1970,6464 Muslim -782, Abu Daowd - 1368)*
*★_ A'maal Shaaqqa ( Sakht Mushkil ) se muma'ant :-*
*"_ Nabi ﷺ ne ek ghar me Rassi latki dekhi, puchha ye kya hai ? Logo'n ne kaha - Fala'n Aurat ne latka rakhi hai, Raat ko ( ibaadat karti hui ) Jab Oonghne lagti hai To isse Latak padti hai, Farmaya- ise khol do, ibaadat ( nifli) us waqt tak karo k tabiyat me nishaat qaa'im rahe _," ( Bukhari -1150, Muslim -784, Abu Daowd -1312)*
*★_ Bani Asad ki ek Aurat ki baabat Nabi ﷺ se arz kiya gaya k wo Tamaam Raat ibaadat kiya karti hai, Farmaya Esa na karo, A'maal ba qadar Taaqat ada karo _", ( Abu Daowd - 1368)*
*"_ Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu se Aan Hazrat ﷺ ne puchha, maine Suna hai k Tum Raato ko barabar jaagte aur Din ko barabar Roza rakha karte ho, Abdullah Raziyallahu Anhu ne kaha - Haa'n, farmaya - Ab esa na karo, Roza bhi rakho aur kuchh waqt ke liye chhod bhi do, Raat ko ibaadat ke liye jaago bhi aur So'o bhi, dekh tere jism ka bhi tujh per haq hai, Teri Aa'nkh ka bhi tujh per haq hai, Teri Bivi ka bhi tujh per haq hai _," ( Abu Daowd -1368)*
[5/22, 9:13 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mehnat ki Tareef, Maangne ki buraai:-*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya k Agar Koi Shakhs Lakdiyo'n Ka Gattha peeth per laya kare to ye uske Liye behtar hai isse k Wo Logo'n se maa'nga kare aur Log use de diya kare'n _," ( Bukhari - 1470- 2074)*
*★_ Kin Logo'n per Rashk karna Chahiye:-*
*"_ Farmaya - Qabile Rashk do Shakhs hai'n:- (1) Jise Allah ne maal diya aur us maal ko Jaa'iz jagah kharch karne ki tofeeq bhi use mili ho, (2) Jise Allah ne Hikmat ata ki ho, Wo us per khud Amal karta ho aur doosro ko bhi uski taleem deta ho _," ( Bukhari -73, 1409)*
*★_ Behatreen Akhlaaq ki Taleem:-*
*"_ Raast Bazi ( Sachcha'i) Akhtyar karo , Aapas me Muhabbat ko badha'o, Logo'n Ko Allah Ki Taraf se Basharat pahuncha'o, Amal to kisi ko bhi jannat me nahi le ja Sakta _," ( Bukhari -6467)*
*"_ Khabardaar Bad gumani ko Apni Aadat na banana, Badgumani to jhoot hi jhoot hota hai, Be buniyad baato per kaan na laga'o, Auro'n ke Ayb talash na karo, Aapas me bugz na rakho, kisi se ru gardani ( Moo'nh fairna ) na karo, Ey Allah ke Bando ! Aapas me Bhai Bhai ban kar raho ( Jesa k Tum sab Allah ke Bande hi ho )_," ( Bukhari 5143, Muslim -2563)*
*★_ Hamsaya ( Padosi) aur Mehman ka Haq :-*
*"_ Jo koi Shakhs Allah per aur Qayamat per imaan rakhta hai, Wo Apne Hamsaya ko takleef na diya kare, Jo koi Shakhs Allah per aur Qayamat per imaan rakhta hai Wo Mehman ki izzat kiya kare _,"*
*"_ Jo koi Shakhs Allah aur Qayamat per imaan rakhta hai use Laazim hai k Baat kahe to Achchhi baat kahe varna Khamosh hi rahe _," ( Bukhari - 6018)*
[5/23, 9:46 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nijaat Ke Liye Nabi ﷺ ki Zamanat :-*
*"_ Agar Koi Shakhs mujhe Zamanat de us cheez ki jo uske Jabdo ke darmiyan hai ( yani Zubaan ) aur Us Cheez ki Jo Uski Taa'ngo ke darmiyan hai ( yani Sharmgah ) To Mai'n uske Liye Jannat Ka Zaamin banta hu'n _," ( Bukhari - 6474)*
*★_ Sabr V Shukr Ki Taleem :-*
*"_ Agar Ese Shakhs per Tumhari Nazar pade jo maal aur Husn me tumse badh kar hai To ese Shakhs ko bhi dekho Jo in Cheezo me tumse kamtar hai _," ( Bukhari - 6390, Muslim -2963)*
*★_ Pehalwan Kon hai ?*
*"_ Pehalwan wo nahi hai Jo Doosro Ko pachhad deta hai, Pehalwan to wo hai Jo Gusse ke waqt Apne Aapko thaam leta hai _," ( Bukhari -6114, Muslim -2609, Ahmad 2/ 236)*
*★_ Munadiyaan E islam ka Farz :-*
*"_ Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu aur Abu Moosa Raziyallahu Anhu ko Nabi ﷺ ne mulk Yaman me Taleem E islam ki isha'at ke liye mamoor farmaya tha, Rawangi ke waqt unhe irshad farmaya- Logo'n ke liye Asaani pasand karna, Unhe Sakhti me na daalna, Khush Khabri aur Basharat unhe Sunana, Deen se nafrat na dilana aur Tum Aapas me mil kar rehna _," ( Bukhari -7172)*
*★_ Darakht lagane Ka Sawab:-*
*"_ Agar Kisi Musalman ne darakht lagaya jiska phal kisi insaan ya jaanwar ne khaya to lagane wale ke liye ye Sadqa hoga _," ( Bukhari- 2320, 6012, Muslim 3968 - 3974, Tirmizi -1382)*
[5/24, 8:26 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Haiwanaat se Hamdardi ka Hukm :-*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Ek Shakhs Raah chalta tha, Use Sakht pyaas lagi, Ku'nwe ke andar utar kar usne Pani piya, Jab bahar nikla to dekha k ek kutta Zubaan bahar nikale pyaas ke maare namnaak zameen ko chaat raha hai, Us Shakhs ne kaha - Kutte ko bhi pyaas hai jese mujhe lagi thi, Fir wo Ku'nwe me utra, Apna moza Pani se bhar kar laya aur kutte ko pani pilaya, Allah ne is Amal ko qubool farma kar us Shakhs ko bakhsh diya,*
*"_ Sahaba Raziyallahu Anhum ne ye sun kar daryaft kiya - Ya Rasulallah ﷺ kya Haiwanaat ke liye bhi humko Ajr milega ? Nabi ﷺ ne farmaya - Har Ek Jaandaar jiske Kaleje me Nam hai ( Jo zinda hai) ke mutalliq tumko Ajr milega _," ( Bukhari-173, 2466)*
*★_ Munafiq kon hai ?*
*"_ Chaar Khaslate hai'n Jis Shakhs me Ho'n wo Munafiq hai Agar in chaar me se koi ek Khaslat usme hai to nifaaq ki ek Alamat uske andar hai :-*
*(1)_ Bole to jhoot bole, (2)_ Vaada kare to khilaaf kare, (3)_ Ahad kare to poora na kare, (4)_ Jhagadne lage to Fahash bakne lage _," ( Bukhari -34, 245, 3178)*
*★_ Qayamat Ke Din Saaya Rabbani kin Logo'n Per hoga ?*
*"_ ( 1)_ Aadil Baadshah,*
*"_(2)_ Wo Nojaawan Jisne Jawani me ibaadat ilaahi ki ho,*
*"_(3)_ Wo Shakhs Jise Tanhayi me Allah Yaad aata ho aur uske Aankhen dabdaba aati ho _,*
*"_(4)_ Wo Shakhs jiska Dil Masjid me laga rehta ho,*
*"_(5)_ Wo dono Shakhs jinki muhabbat lillahiyat per ho,*
*"_(6)_ Wo Shakhs Jise koi Hasina aur Aala darja ki Aurat apni jaanib bulaye aur wo keh de k Mai'n Allah se darta hu'n,*
*"_(7)_ Wo Shakhs Jo makhfi Tor per Khairaat deta ho, uske Baaye haath ko bhi khabar nahi k daaye haath ne kya Diya ?*
*"_ Ye hai'n Wo Saat (7) Shakhs jinhe Allah Qayamat ke din Apne Saaye me le lega, Jis Din kahi'n Saaya na hoga _," ( Bukhari- 10, Muslim -40, Abu Daowd -2481)*
[5/25, 8:08 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Badshaah Ki ita'at Ka Hukm:-*
*"_Agar Kisi Shakhs ko Apne farman rawa ki koi baat nagawaar guzre to use Laazim hai k Sabr kare, Kyu'nki Agar koi Shakhs baalisht bhar bhi Apne Badshaah ki ita'at se bahar niklega use wo maut naseeb hogi Jo Zamana qabl Az islam ki maut hoti thi _," ( Bukhari- 660- 6806)*
*★_ Tum log mere baad na Khush Gawaar Haalate aur esi baate dekhoge jinhe tum napasand karoge, Sahaba Raziyallahu Anhum ne puchha - esi haalat ke liye Huzoor ﷺ ka kya hukm hai ?*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Unke Huqooq ada karte rehna aur Apne Huqooq ki baabat Allah se Dua maangna _," ( Bukhari- 7053)*
*★_ Zeest ( Zindgi) Ka darja Qadr E Zindgani :_*
*"_ Kisi Shakhs ( Musalman) ko maut ki Aarzu nahi karni chahiye, Agar Nek hai to isliye k Shayad wo Nekiyo'n me Taraqqi kar sake aur Agar bad hai to isliye k Shayad wo khushnoodi haasil kar sake _," ( Bukhari-7235)*
*★_ Sahat aur Faraakh dasti ( Maaldaari) Ka darja:-*
*"_ Do ni'amate hai'n Jinki Qadr Aksar log nahi jaante Wo ni'amate:- (1) Tandurasti (2) Faraakh dasti (Maaldaari) Hai'n _," ( Bukhari-6412, Tirmizi -2304, ibne maaja -4170, Kanzul Ummal -6444)*
[5/26, 3:27 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ada E Qarz Ki Fazilat:-*
*"_ Ek Shakhs ka Nabi ﷺ ne Ou'nt dena tha, Wo Taqaza karne aaya, Aan Hazrat ﷺ ne uske Ou'nt se behtar Ou'nt khareed kar use de diya, Logo'n se farmaya - Nek v Bartar Shakhs wo hai Jo Qarz ko khush Usloobi se Ada karta hai _," ( Bukhari - 2392)*
*★_ Daulatmandi Ki Tareef:-*
*"_ Daulatmandi Zar v Maal ki kasrat se haasil nahi hoti hai Gani ( Maaldaar ) Wo hai Jiska Dil gani hai _," ( Bukhari - 6446, Tirmizi -2373, ibne maaja 4137)*
*★_ Musawaat E Aamma ( Aam Barabari ) :-*
*"_ Arab ke kisi Bashinde ko Ajam Ke kisi Bashinde per aur Ajam ke kisi Shakhs ko Arab ke kisi Shakhs per, Gore Rang wale Ko Kaale Aadmi per aur Kaale Ko Gore per Koi Fazilat nahi hai, Fazilat ka Zariya To Sirf "Khuda Tarsi ( Khuda Ka Dar) " hai _," ( Zaadul Ma'ad-2/185, Durre Mansoor -6/98 Majma Az Zawa'id- 8/ 84)*
*★_ Raham Aamma:-*
*"_ Jo koi Shakhs Doosre per Raham nahi karta us per bhi Raham nahi kiya jayega _," ( Bukhari - 5997)*
[5/27, 6:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Vaariso Ke Liye Varsa Chhodne ki fazilat:-*
*"_ Ye behtar hai k Tu Apne Vaaris ko chhod kar mare, Banisbat iske k wo tahi dast ho aur Logo'n ke saamne Sawal ke liye haath failata rahe _," ( Bukhari - 2742)*
*★_ Aurat Ki misaal aur usse guzraan karne ki hidayat :-*
*"_ Aurat Ko esa Samjho jese pasli ki haddi, is Haddi ko agar sidha karna chahoge to Tod bethoge aur agar usse kaam Lena chahoge to Tedepan me hi kaam degi _," ( Bukhari- 5184, 3331, Musnad /279)*
*★_ Aurat Ka darja ghar me :-*
*"_ Aurat Apne Shohar ke ghar me aur Aulaad per hukmraan hai _," ( Bukhari - 893, 5200, Musnad Ahmad-2/5)*
*★_ Maahir E Qur'an Ka darja :-*
*"_ Qur'an Majeed ka jaane wala buzurg nekukaar Safeero ( Farishto) ke Saath hoga _," ( Bukhari-4937, Muslim - 1862, Abu Daowd -1454, Tirmizi -2904)*
*★_ Allah Ke Nazdeek Pasandida Kaam :-*
*"_ Do bol hai'n Jo Rehman Ko pyare hai'n, Zubaab per Halke hai'n, Mizaane A'maal me bhaari hai'n, Wo ye hai'n :- Sub'hanallahi Wabihamdihi Sub'hanallahil Azeem _," ( Bukhari - 7563, Muslim - 2694, Tirmizi -3467, ibne maaja 3806)*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
[5/29, 8:27 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hubbul Nabi ﷺ:-*
*"_ Gazliyaat Daabiyaat ke Sayyadul Lafz "Ishq" ka istemal Aksar kiya karte hai'n, Quran Majeed aur Ahadees Paak ke Mahireen se ye Amr makhfi nahi hai k Har Do kalaam Paak me Lafz Ishq ka istemal nahi hua hai_,*
*★_ Qamoos me hai - Junoon Ki bahut si qisme hai'n Ishq bhi junoon ki ek qism hai, is marz ko insaan apne nafs per baaz soorto ya khaslato ke Achcha samajh lene se khud waarid kar liya karte hai'n, Pas jab Ishq ke maani junoon ki ek qism hui to Zaroori tha k Allah aur Rasool ﷺ ke kalaam Paak me is lafz ka istemal na Kiya jata aur ise fazail Mehmood ya Mahasin Jamila se Shumaar na Kiya jata, Beshaq Qur'an Hakeem aur Ahadees Rasool Kareem ﷺ me Lafz Muhabbat ka istemal hua hai aur isse saabit ho gaya k Muhabbat hi Sifte Kamaale insaani hai _,"*
*★_ Muhabbat aur Ishq me ye bhi Farq hai k Muhabbat Rooh ke meelaan ka naam hai aur Ishq me is Shart ka paya jana zaroori nahi, Mehboob wo hai Jo fil waaqe Apne Aala Kamalaat ki vajah se muhabbat kiye jane ke Shaaya'n ho, Mashooq wo hai Jise kisi ne achcha samajh liya ho_,*
*"_ Mehboob Mehboob hi hai, Khwah koi muhab paida ho ya na ho magar Mashooq Mashooq nahi jab tak koi uska Aashiq mojood na ho _,"*
*★_ Muhabbat Rooh E insaani ki wo Sifate Noorani hai Jo Jisme insaani me aane se pehle bhi Rooh ke andar payi jati aur Kaarfarma thi,*
*"_ Muhabbat ka Darja Mehboob Ke Darje ke Munasib hota hai, Mehboob jitna Arfa v Aala hoga Muhabbat ka Darja bhi usi qadar Arfa aur Daaymi hoga, Muhabbat Ko zaat v Sifaat Mehboob se jis qadar zyada irfaan hoga usi qadar zyada mazbooti se uska uski jaanib meelan hoga _,"*
[5/30, 8:43 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hubbul Nabi ﷺ:-*
*"_ Mushrik Log Shurka ke saath Allah ki Muhabbat jesi Muhabbat kiya karte Hai'n magar Jo imaan wale hai'n Unki Muhabbate Allah Ke Saath bahut zyada badhi hui hai'n _," (Surah Al Baqrah-165)*
*★_ Ye Yaad rakhna chahiye k Seeratun Nabi ﷺ ke Likhne Ka maqsad is Khaalsaar Ka balki Jumla Ulma ka Yahi hai aur Yahi hona chahiye k Nabi Kareem ﷺ ke Vajood Bajood ke mutalliq padhne wale ke Quloob ko imaan, Rooh ko Raahat aur Seene khol de aur Muhabbat ka Wo paak Chashma Jo Khushk ho gaya tha fir Fawwara waar usi bulandi tak mojzan ho jaye jis bulandi se chala tha _,"*
*★_Ye Muhabbat hi hai Jiski Sifat me Habibullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farma diya hai :- Har Shakhs Ka Hashr uske Saath hoga jisse Wo muhabbat karta hai _," ( Sahi Bukhari - 6168, 6169 Muslim 165, 2640, Tirmizi 2385, Musnad Ahmad-206)*
*★_ Hum likh Chuke hai'n k Muhabbat ki buniyad kisi Kamaal Asla per hoti hai, Senkdo'n Shakhs Haatim Taa'i se muhabbat rakhte hai'n, isliye nahi k unhe uski jaydaad se koi Paisa ya Paayi mili hai balki isliye k ese Shakhs ko Sifat Jodo Sakha se muhabbat hoti hai _,"*
[5/31, 9:36 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hubbul Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam -3,*
*"_ Yaha'n Jis Aala Hasti ki muhabbat ka Zikr hai uski Shaane Buland Ka Ta'aqul karne ke liye khayal Karo :-*
*"_ Ek Aadam Alaihissalam Anaabat ilallah ka Raaz Aashkaar Karne wala, Ek Idrees Alaihissalam Uloom Awwaleen v Aakhireen ka dars dene wala, Ek Nooh Alaihissalam israar v Elaan se Tableeg karne wala, Ek Ibrahim Alaihissalam Gunehgaro ke liye Rabbul izzat se Darguzar aur Rahmat ka Sawal karne wala, Ek Ismaiyl Alaihissalam Baitullah ko muazzam thehrane wala, Ek Yaqoob Alaihissalam Rab Qadir se Ahad baandhne wala, Ek Yusuf Alaihissalam bad khwah aur bad Andesh per Raham karne wala, Ek Moosa Alaihissalam Qaum Ko Barguzida banane wala, Ek Haroon Alaihissalam imaam Faseeh, Ek Yahya Alaihissalam muballig mutawaze, Ek Daowd Alaihissalam Qaum Ko ijtimayi Quwaat dene wala, Ek Suleman Alaihissalam Allah ke liye paak Ghar banane wala _,*
*★_ Sallallahu Alaihi Wa Ala Jami'i ikhwanihee minan Nabiyyeena Wal Mursaleen ...*
*"_ Ha'n! Wo Jiske Moo'nh me Allah ka kalam hone ki khabar Moosa Alaihissalam ne di,*
*"_ Haa'n! Wo jise Iysaa Alaihissalam ne Roohul Haq bataya _,*
*"- Haa'n! Wo jiski haibat v Jalaal se Douwd Alaihissalam ne Dushmano ko mar'oob banaya,*
*"_ Haa'n! Wo Jiske Husno Jamaal ka Nasheed Suleman Alaihissalam ne Muqaddas me gaya,*
*"_ Wo Jiske Khair Muqaddam ki Tehneet se Malaaki Alaihissalam ne Allah ke ghar ko Jalal diya,*
*"_ Wo jiske Libaas aur Raan per "Shehanshaho Ka Shehanshah, Khudawando ka Khudawand" likha hua Yuhanna ne padha _,*
*"_ Wo Jiske pichhe Aasmani Faujo ka chalna Sahibe Mukashfat ne mushahida kiya _,"*
*★"_ Kya koi Sahibe Basar, Sahibe Dil ! Ese Mehboob, ese Mehmmod, Ese Mustafa ese Muhammad ﷺ per Dil v Jaan se Fida na hoga ? Aur is Fida hone wale ko Apne liye gaayat Sharf aur intehayi kamaale insaniyat nahi samjhega _,*
[6/1, 8:14 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Yaad Rakho K Aayat Zel me is Raaz Ka inkshaf kiya hai (Surah Tauba :24):-*
*"_ ( Tarjuma) Sab logo ko Suna de k Agar Tumko Maa'n Baap Bete Betiya'n, Bivi v Shohar, Qaum v Qabila aur Maal jo tumne jama kiya hai aur Tijarat jiske Khasare ka tumko dar laga rehta hai aur Wo Mahal Jinme basna tumko Achchha maloom hota hai Wo Sab Zyada Pyare hai'n Allah aur Rasool se aur uski Raah me firne se Tab tum muntazir raho k Allah tumhare liye Apna koi hukm de _,"*
*★_ is Aayat me Jin Jin Shaksiyato ya Cheezo ka zikr kiya gaya hai, Unki Muhabbat se insaan ke Dil ko Aam milaan hota hai aur isiliye Rabbul Aalameen ne in Sabke saath insaani Muhabbat ki nafi nahi farmayi aur na hi unki Judayi ki taleem di hai,*
*★_ Yahi Raaz Sahiheen me is Hadees Paak me khola gaya hai, Anas Raziyallahu Anhu Nabi ﷺ ka irshad naqal farmate hai'n - "Koi Shakhs tumme se momin nahi ban sakta jab tak use Rasulallah ke saath Maa'n Baap Aulaad aur baqi sab Shakhso se badh kar Muhabbat na ho _," ( Bukhari -13, 14, 15 Muslim - 169 Nasaa'i- 5031, ibne maaja -66)*
*★_ Sahi Muslim me hai :- "Koi Momin nahi ban sakta jab tak Mai'n use Uske Ahal v Maal se zyada Mehboob nahi hota _," ( Bukhari - 15, Muslim -168, Nasaa'i- 5028, 5029, ibne maaja 67)*
*"_ Hamara Aitqaad ye hai k Nabi Kareem ﷺ na Sirf Mehboob balki Habeeb hai'n, Yani Huzoor ﷺ ke Wo Sifaat Aaliya aur Fazail Mutakasirah aur Mahasin Jameela aur Na'awat Rafi'a, Jinhone Huzoor ﷺ ko Habibullah aur Mehboob Khalqullah bana diya hai, Sabaat v istaqraar rakhte aur dawam v baqa se mutamakkin hai'n, Mai'n chahta hu'n k Nabi ﷺ ke Mahasin Akhlaaq aur Sharfe Af'aal ke Aawal Chand Namoone pesh karu'n aur dikhau'n k esi Sifaat Aaliya ke Maalik se kon Shakhs Muhabbat karna nahi chahta _,"*
[6/2, 6:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jodo Sakha Ka Bayan :-*
*"_ Junge Hunain me 6 Hazaar Qaidi, 24 Hazaar Ou'nt, 4 Hazaar Bakriya'n, 4 Hazaar Okiya Chaa'ndi ganimat me Haasil hui thi, Nabi ﷺ ne unme se ek cheez ko bhi nahi chhua, Ghar se jis khayro Barkat ke saath Tashreef laye they, Usi tarah Waapas gaye_,"*
*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Nabi ﷺ ne Apni Wafaat ke baad koi Sikka Chaa'ndi ya Sone ka Bakri ya Ou'nt duniya me nahi chhoda aur na kisi cheez ki baabat koi Vasiyat hi farmayi _," ( Abu Daowd 2863, Bahyqi 2695, Tamheed 215, Shama'il Tirmizi 406)*
*★_ Ma'ali bin Ziyaad ne Hasan se Rivayat ki hai k Nabi ﷺ ki khidmat me ek Sawali aaya, Farmaya- betho Allah dega, Fir doosra aaya, fir Teesra aaya, Huzoor ﷺ ne sabko bitha liya, Huzoor ﷺ ke paas dene ko us waqt kuchh na tha, itne me ek Shakhs aaya aur usne 4 Oqiya Chaa'ndi Huzoor ﷺ ki khidmat me pesh ki, Huzoor ﷺ ne ek ek Oqiya to un teeno ko Taqseem kar diya aur ek Oqiya ki baabat pukaar bhi diya, Magar koi lene wala na utha _,"*
*★_ Raat hui to Huzoor ﷺ ne Wo Chaa'ndi apne Sarhane rakh li, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne dekha k Huzoor ﷺ ko neend nahi aati, Uthte hai'n aur Namaz padhne lagte hai'n, Fir Zara let kar uthte hai'n aur Namaz padhne lag jate hai'n, Ummul Momineen Ayesha Raziyallahu Anha ne puchha - Huzoor ﷺ ko Aaj kuchh takleef hai ? Farmaya - nahi, Unhone puchha - tab koi khaas hukm Allah ka aaya hai Jiski vajah se ye beqarari hai ? Farmaya - nahi , Ummul Momineen Raziyallahu Anha ne kaha - fir Huzoor ﷺ Araam kyu nahi farmate ?*
*"_ Us Waqt Huzoor ﷺ ne wo Chaa'ndi nikaal kar dikhayi, Farmaya ye hai jisne mujhe beqarar kar rakha hai, mujhe dar laga k Mubada ye mere Paas hi ho aur meri maut aa jaye _,"*
[6/3, 6:55 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nabi ﷺ ne farmaya - Jo Musalman Qarz chhod kar marega, Mai'n use Ada karunga aur Jo Musalman Varsa chhod marega use uske Vaaris sambhal lenge _," ( Tirmizi - 2090 Abu Daowd 3343, Nasaa'i- 1962)*
*★_ Jaabir bin Abdullah Sahabi Ansari Raziyallahu Anhu se Rivayat hai :- Nabi Kareem ﷺ se kabhi kisi cheez ka bhi Sawal nahi kiya gaya Jiske Jawab me Huzoor ne "Laa" ( nahi ) farmaya ho _," ( Bukhari 6034, Muslim 2311)*
*"_ Is Hadees Ka mafhoom kisi ne yu'n ada kiya hai:- in Rivayato ko dekho aur inke ma'ani per gor karo, Saabit ho jayega k Nabi ﷺ Nekiyo'n me sabse zyada Sakhawat wale they_,"*
*★_ Adl v Insaaf Ka Bayan:-*
*"_ Nabi ﷺ ki is Sifat ka aitraaf Dushman bhi karte they, Rabi'a bin Khaisam Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Baisat se pehle bhi log Apne muqadmaat ko Nabi ﷺ ke Huzoor me faisle ke liye laya karte they, Hajre Aswad ke nasab karne me jo jhagda Quresh me ho gaya tha, Uska Zikr pehle guzar chuka hai, Qabile Zikr ye hai k qaraar ye hua tha k jo koi Shakhs Ab se Sabse pehle Kaaba me aaye Wohi Hakam qaraar paye, Nabi ﷺ aa nikle to Logo'n ko khushi v Masarrat ki koi had na thi aur khush ho kar pukarte they - Lo Muhammad ﷺ aa gaye, Unke faisle per to hum sab hi khush hai'n _," ( Seerat ibne Hisham -1291, Mustadrak Haakim 1/458)*
*★_ Insaaf ka Yaqeen ho to esa ho k Faisla Sunne se pehle hi har mukhalif us Faisle per Razamandi ka izhaar karta hai _,"*
*"_ Fatima Naami ek Aurat chori me makhooz hui, Osama bin Zaid Raziyallahu Anhu ne jinse Huzoor ﷺ Nihayat muhabbat kiya karte they bholepan se uski Sifarish kar di, Nakhush ho gaye aur farmaya k tum Hudoode ilaahi me Sifarish karte ho dekho agar meri beti Fatima bhi esa karti to Mai'n wohi faisla karta Jo iske liye karunga _," ( Bukhari -3475, Muslim -1688, Abu Daowd 4373, Tirmizi 1430, ibne maaja 2547, Daarmi 2302, Ahmad -2/ 2162)*
[6/4, 7:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★"_ Najdat v Shuja'at Ka Bayan:-*
*"_ Najdat us Sift ko kehte hai'n k Maut ke Saamne nazar aane per bhi aitmaad qaa'im rahe, Shuja'at quwwat ke us kamaal ko kehte hai'n Jo Aqal ko qaabu me rakhne se haasil hoti hai, Nabi ﷺ ke in Sifaat ke mutalliq beesiyo Rivayat aur Raaviyo ke Mushahidaat mojood hai'n, Hazrat Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ke naam aur unki Shuja'at ke buland Kaarnamo se kaun nawaaqif hoga, Wohi farmate hai'n:-*
*"_ Jab ghamsaan ka Ran padta aur ladne walo ki Aa'nkho me khoon utar aata, Us Waqt hum Nabi ﷺ ki oat liya karte they aur humme se sabse aage Dushman ki jaanib Nabi ﷺ hi hote they _," ( Muslim -4616)*
*★_ Junge Hunain me Dushmano ne pahaad ke darre me beth kar ese Teer barsaye k Huzoor ﷺ ki 12 Hazaar fauj ka Moo'nh mod diya, Kisi ne is waqi'e ke mutalliq Bar'a bin Aajib Raziyallahu Anhu se puchha k kya tum Rasulallah ﷺ ko chhod kar bhaag Gaye they, To Bar'a bin Aajib Raziyallahu Anhu ne kaha - Haa'n, Magar Rasulallah ﷺ to fir bhi na bhaage, maine dekha k Huzoor ﷺ Apne Safed Khachchar per chadhe hue Hai'n, Abu Sufiyan bin Haaris bin Abdul Muttalib Haashmi Raziyallahu Anhu ne lagaam pakad rakhi hai aur Aap farma rahe hai'n "Mai'n Nabi hu'n Mai'n Jhoot nahi kehta _," ( Bukhari 4317, Muslim 4615, 4616)*
*★_ is Waqi'e ke mutalliq Abbaas Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai, "_ Musalman peeth fair kar bhaag gaye us waqt Nabi ﷺ Khachchar ko aid lagane aur Dushman ki jaanib badhane lage, Mai'ne lagaam aur Abu Sufiyan ne Rakaab pakad li, is iraade se k Nabi ﷺ ko aage badhne se rok de'n _," ( Bukhari 4315, Muslim 4612- 4616)*
*★_ Ye Shuja'at ki gaayatul gaayat hai k Jis Shakhs ke Saamne 12 Hazaar fauj bhaag Rahi hai, Huzoor ﷺ uske Muqable ke liye Apni Sawaari ko le ja rahe hai'n aur jab Ahle Bayt ke do Shakhs Umm aur ibnul Umm ne Sawaari ko rok liya to Huzoor ﷺ paidal hi aage badhne ko hai'n_,"*
[6/5, 8:34 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sahiheen me Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Madina me ek Raat Shor Gul sa hua, Log Samjhe Chhapa aa pada, Sab log mil kar Aabadi se baahar us Shor ki taraf ko chale, Aage Chale to Unhe Nabi ﷺ waapas hote hue mile, Huzoor ﷺ ghode per Sawaar aur Talwaar hama'il kiye hue they, Yani Awaaz sun kar sabse pehle aur Tane Tanha Tafteesh ko Tashreef le gaye they aur humse Farma rahe they - Daro nahi, Daro nahi _," ( Bukhari - 2627, Muslim - 2307, Abu Daowd 4988, Tirmizi 1685)*
*★_ Qara'ien Ko Bayte Uqba ki buniyadi mulaqaat ka Waqia to yaad hi hoga k Shab Tareek aur Manzil per Khatre Ke Khof se ek Qafila Pahaad ki ghaa'nti me Panaah lene per majboor ho jata hai aur Abaadi tak Pahunchne ki jurrat nahi karta aur Nabi ﷺ Jinki Jaan ka Dushman Makka ka ek ek Shakhs tha Ese Waqt aur Ese muqaam me isliye Chakkar laga rahe hai'n k Shayad kisi Raah se bhatke aur Zalalat ko Hidayat farma sake'n _,"*
*★_ Tamaam Duniya Ke muqabil Sachche Usool ki isha'at ke liye khade hona aur ek ese Mulk me Jaha'n Khoo'nrezi v Safa ( Khoon bahane walo) Ki hi hukumat thi, Har Ek ko Mazhabi Zalalat ka elaan karna, Kisra v Qaisar v Habsha Ke Hukmraano ki parwaah na karna Shuja'at aur Quwwate Qalb ka behatreen Namoona dikhata hai Jiski Nazeer Tareekh me milni mushkil hai _,"*
[6/6, 6:25 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Tawazo Ka Bayan:-*
*"_ Maskanat v Tawazo Nabi ﷺ ki Sifat laazim thi, Tawazo hi thi k Khachchar aur Himaar ( Gadha) per Sawari farmate, Doosre Ko Saath Sawaar kar lete, Miskeeno, Gareebo ki iyaadat farmate, Fuqra ke barabar ja bethte, Sahaba Ke darmiyan mil jul kar beth jate, Apni Nashist ke liye na janibe Sadar ki zarurat samajhte na koi imtiyazi NiShaan banate, Gulamo aur Khadimo ke saath Beth kar khana kha lete, Bazaar se Sauda khareed kar aur khud utha kar le aate, Apne Jaanwar ko khud chaara daalte, Ou'nt ki zaanu bandi kar dete, ghar ke chhote chhote kaam kaaj Apne haath hi se kiya karte they, Jab Hazaaro Jaa'nisaar esi khidmat sar anjaam dene ko Apni Sa'adat Samajhne wale mojood aur Amaada bhi hote _,"*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n Huzoor ﷺ Hajj ko Tashreef le gaye, Maine dekha k Jo Chaadar Huzoor ﷺ ke ouper thi uski qeemat chaar dirham se zyada na hogi _,"*
*★_ Yahood Banu Qureza ki jaanib Tashreef le gaye to us Roz Huzoor ﷺ Himaar ( gadhe) per Sawaar they Jiski baag khajoor ke patthe ki Rassi se bani hui thi aur uski Pusht per Sirf Khajoor ki Saf padi hui thi _,*
*★_ Abu Huraira Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Huzoor ﷺ ne ek Dukaan se Pajama khareeda, Uthne lage to Dukandaar ne Huzoor ﷺ ke haath per bosa dena chaha, Huzoor ﷺ ne haath ko jhat pichhe hata liya aur Zubaan Mubarak se farmaya :- Ye To Ajmi log Apne Badshaaho ke saath kiya karte hai'n, Mai'n Badshaah nahi hu'n, Mai'n tumhi se ek hu'n _,"*
[6/7, 5:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Haya Ka Bayan:-*
*"_ Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai:- Nabi ﷺ Parda Nasheen Ku'nwari Ladki se bhi Zyada Sharmile they, Koi Makrooh cheez dekh lete to Zubaan se kuchh na farmate, Huzoor ﷺ ke Chehre per Karahat ke Asaar numaya ho jate _," ( Bukhari - 3562, Muslim - 2320, ibne maaja 4180)*
*★_ Isi Sifte Haya ka asar tha k Kisi ko rubaru kisi Ayb ke mutalliq kuchh na farmate, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai:- Ek Shakhs Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me Zaafraan Ka Rang mile hue aaya, Huzoor ﷺ ki Aadat Mubark thi k Kisi ke saamne esi baat na kaha karte they Jise wo Na Pasand karta ho, Jab Wo Chala gaya to Huzoor ﷺ ne Logo'n se farmaya kaash Tum isse keh dete k wo is Rang ko chhod de _," ( Shama'il Tirmizi -184, 345, Haamish Al Mawahib -173)*
*★_ Baaz Awqaat Logo'n ki Tool Kalami se Huzoor ﷺ Thak jate ya Zyada bethe rehne ki vajah se Majboor ho jate Tab bhi Haya ki vajah se khud Takleef uthate aur unse Kuchh na farmate _,"*
[6/8, 8:40 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Shafaqqat v Raafat (Rehmat) Ka Bayan:-*
*"_ Ek ga'nwaar aaya, Usne Sawal kiya, Huzoor ﷺ ne use de diya aur puchha k Theek hai, Wo bola nahi Tumne mere saath kuchh bhi Sulook nahi kiya, Sahaba Raziyallahu Anhum ye Sun kar betabana uski taraf uthe, Huzoor ﷺ ne ishara kiya k Ruk jao, Fir Huzoor ﷺ ghar Tashreef le gaye aur ghar se la kar aur bhi kuchh diya, Wo Shakhs khush ho kar Dua dene laga _,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya- Tera pehla kalaam mere Ashaab ko nagawaar guzra tha, Kya Tum pasand karte ho k unke Saamne bhi is tarah keh do jis tarah ab mere saamne keh rahe ho Taki Unke Dil bhi teri taraf se saaf ho jaye'n, Wo bola Haa'n, Mai'n keh dunga, Fir Agle Din Ya Shaam hi wo ga'nwaar gaya, Aap ﷺ ne Sahaba Raziyallahu Anhum Se farmaya k Ab ye mujhse khush hai, Kyu'n theek hai na, Wo bola Haa'n, aur fir Dua di _,"*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya Ek Shakhs ki Ou'ntni bhaag gayi, log uske pichhe daude, Wo Aage hi aage bhaagti rahi, Maalik bola Tum sab thehar jao, Meri Ou'ntni hai aur Mai'n hi use Samajh sakta hu'n, Log Hat gaye, Ou'ntni Ghaa'ns Paat khane me lag gayi, Maalik ne aage ja kar use ja pakda aur Kaathi daal di, Meri aur Us ga'nwaar ki misaal esi hi thi, Agar tum use us Haalat me qatl kar dete to wo bechara Jahannam me jata _," ( Kitaabul Shifa- 55)*
*★_ Nabi ﷺ ne Allah Ta'ala se arz ki thi k Ey Allah meri is arz ko Mazboot Ahad Samjha jaye k Agar Mai'n kisi Shakhs ko Az Raah Bashirat Bad Dua de bhi bethu'n to meri us Bad Dua ko bhi uske Haq me Rehmat v Barkat aur Zakaat v Taqarrub bana dena _," ( Bukhari- 11/205, Muslim -2601)*
*★_ Imaam Ahmad v Tabrani ne Rivayat ki hai k Ek Shakhs ko giraftaar kar ke Nabi ﷺ ke Saamne pesh kiya gaya aur arz kiya gaya k ye Huzoor ﷺ ke qatl ka iraada karta hai, Nabi ﷺ ne use Tasalli de kar farmaya k Tum is ilzaam se na daro ( fir use riha kar ke ye bhi farmaya k) Agar Tera iraada bhi hoga to Tu qaabu na pa sakega _," ( Kitaabul Shifa-40, Nasaa'i-10903, Ahmad -3/471)*
[6/9, 8:10 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Afu V Karam ;-*
*"_ Afu ki Soorat us waqt muhaqiq hoti hai k Jurm Saabit ho aur Mujrim ko saza dene ki Taaqat haasil ho fir bhi maafi di jaye, Karam ke ma'ane me daad v dabish ya izzat Afzaa'i ki soorat Shamil hai, Afu ke bager bhi payi jati hai aur Afu ke saath bhi us waqt iski Shaan aur bhi zyada numaya ho jati hai, Nabi ﷺ ke Afu Taqseer ke Saath Umuman Karam bhi paya jata tha _,"*
*★_ Sahiheen me Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Ek Aarabi aaya, Huzoor ﷺ ki chaadar ko zor se kheencha, Chaadar ka kinara Huzoor ﷺ ki gardan me ghub gaya aur Nishan pad gaya, Wo A'raabi bola Muhammad ﷺ mere do Ou'nt hai'n unki laad ka kuchh Samaan mujhe bhi do, Kyunki jo Maal tere paas hai wo na tera hai, na tere baap ka, Nabi ﷺ chup ho gaye, fir farmaya Maal to Allah ka hai aur Mai'n uska Banda hu'n _,"*
*"_ Fir puchha - Jo bartaav tumne mujhse kiya tum us per darte nahi ho ? A'raabi bola - nahi, puchha -kyu ? Wo bola Mujhe maloom hai k Aap Burayi ke badle Burayi nahi kiya karte, Nabi ﷺ Ha'ns diye aur hukm diya k ek Ou'nt ke bojh ke jo ek ki khajoore di jaye _," ( Bukhari -3149, Muslim -1057)*
*★_ Huzoor ﷺ ne Zaid bin Saana Yahoodi Ka Qarz dena tha, Wo Taqaza karne ke liye aaya, Huzoor ﷺ ke kandhe ki chaadar utaar li aur Kurta pakad kar Sakhti se bola k Abdul Muttalib ki Aulaad badi Naadhinda hai, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne use jhidka aur Sakhti se jawab diya, Nabi ﷺ Tabassum farmate rahe, Uske baad Umar Raziyallahu Anhu se farmaya - Umar ! Tumko mujhse aur usse aur tarah ka bartaav karna tha, Tum mujhe kehte k Adaaygi honi chahiye aur use Sikhate k Taqaza Achche lafzo me karna chahiye _,"*
*★_ Fir Zaid ko mukhatib kar ke farmaya - Abhi to Vaada me Teen din baqi hai'n, Fir Umar Farooq Raziyallahu Anhu se farmaya, Jao iska Qarz ada karo aur Bees (20) Sa'a Zyada bhi dena, Kyunki tumne use jhidka bhi tha _," ( Ravaah Bahyqi -45)*
*★_ Waaze ho k Vazan Sa'a hamare 80 Rupiya Tola Ser ke hisaab se Do Ser Saade Teen Chhataak ka hota hai, Yahi Waqia Zaid bin Saana ke islam ka mojib hua, Usne Suna tha k Nabi Mo'oud Ka ilm har Jahalat per Saabiq hoga aur Shiddate Jahal uske ilm ki Afzaa'i ka sabab hogi, Isi pesheen Goi ki Aazma'ish ke liye Zaid bin Saana ne ye Harkaat ki thi _," ( Kanzul Ummal -15050, Mustadrak Haakim -2237, Majma Az Zawa'id-2398, Bahyqi -6/52)*
[6/10, 6:28 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Kohe Taniym se 80 Shakhs ye iraada Kar ke utre k Nabi ﷺ ko qatl kar de'n ( Huzoor ﷺ Daamane Koh me utre hue they Unhone Apne kaam ke liye namaze Subeh ka waqt intikhab kiya tha) Jisme Nabi Kareem ﷺ Lambi Qiraat padha karte they, Wo Aaye aur pakde gaye, Nabi ﷺ ne sabko chhod diya _," ( Muslim 1679, Abu Daowd 2688, Tirmizi 3264, Ahmad 1243)*
*★_ Abu Sufiyan bin Harb Wo Shakhs tha jisne Uhad , Ahzaab vagera me Huzoor ﷺ per fauj Kashi ki thi, Wo islam lane se pehle Jung ke Dino ke dauraan giraftaar ho gaya, Huzoor ﷺ ne Nihayat meharbani se usse Kalam farmaya - Afsos! Abu Sufiyan Abhi waqt nahi hua k Tum itni baat samajh jao k Allah ke Siva aur koi bhi ibaadat ke laa'iq nahi _,"*
*"_ Abu Sufiyan bola - mere Maa'n Baap Huzoor ﷺ per qurban, Aap kitne burdbaar, Kitne Qarabat ka haq ada karne wale aur kis qadar Dushmano per Afu v karam karne wale hai'n _," ( Kanzul Ummal 1436, Al-Shifa 2291, Majma Az Zawa'id- 6/166)*
*★_ Zainab bint Al Haaris bin Salam Khaybar ki Yahoodiya ne Gosht me Zehar daal kar Huzoor ﷺ ko khilaya, Usne Iqbale Jurm bhi kar liya, Nabi ﷺ ne fir bhi use maaf farma diya _," ( Bukhari-2617, 5777)*
[6/11, 7:45 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Zuhad Fi- Al Duniya:-*
*"_ Waqiaat Zuhad Ke bayan me maine Us Zamane Ke Halaat ko liya hai Jab Nabi ﷺ Ka Hukm Tamaam Arab me Naafiz tha, Jab Behrain se Habsha tak Huzoor ﷺ ka Kalma padha jata tha, Taki maloom ho jaye k Nabi ﷺ Ka Zuhad iztrari na tha balki Akhtyari tha, Iska Sabab Lachaari na tha balki Fitri tha_,*
*★_ Ummul Momineen Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n:- Nabi ﷺ ne Kabhi Shikam Ser ho kar nahi khaya aur Kabhi Faaqa Ka Shikwa Kisi se nahi farmaya, Nadaari Huzoor ﷺ ko Gina se zyada pyari thi, Kabhi esa hota k Bhook ki vajah se Raat bhar Neend nahi aayi magar Agle Din Ka Roza fir rakh lete they, Agar Huzoor ﷺ chahte to Allah Ta'ala Khaza'in Ardh ( Zameen ke Khazano) Ki kunjiya aur Samraat v Tam'aat ki zindgi ki Afzaa'ish Sab hi ata farma deta _,"*
*"_ Mai'n Huzoor ﷺ ki Faaqa ki haalat dekh kar ro pada karti, Apna Haath Huzoor ﷺ ke pet per faira karti ( Faaqa Kesa dab gaya ) aur kaha karti, Waari Jau'n ! Duniya me se itna hi qubool kar lijiye Jo Jismani Taaqat ko qaa'im rakhne ko kaafi ho, To jawab me farma dete, "Ayesha ! Mujhe Duniya se kya kaam, Mere Bhai Ulul Azm Rasool to isse bhi zyada haalat per Sabr kiya karte they, Wo us Chaal Per chale aur Allah ke Saamne gaye, Allah ne unko ikraam kiya aur unko poora poora sawab diya, Ab Agar Mai'n Asoodgi ki zindgi ko pasand karta hu'n to mujhe ye bhi Sharm aati hai k Kal ko unse Kam reh jau'n, Dekho mujhe to jo cheez Sabse zyada pyari hai wo ye hai k Apne Bhaiyo'n aur Khaleelo se ja milu'n _," ( Kitaabul Shifa- 1063, Akhlaq Al Nabuwat -268)*
*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k is Guftgu ke baad Huzoor ﷺ Sirf Ek hi Mahina tak Ronaq Afroz E Aalam rahe aur fir Rafeeq E A'ala se ja mile _,"*
[6/12, 6:56 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aam Akhlaaq:-*
*"_ Ummul Momineen Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha ki Shahadat Nabi ﷺ ki Nabuwat se pehle ke Akhlaaq ki baabat 15 Saala Tajurba ye hai :-*
*"_ Aap Qarabato se Sulook karne wale hai'n, Dar Maando ko Sawaari dene wale, Nadaaro ko Sarmaya dene wale, Mehmano ki khidmat karne wale, Musibat Zado Ki i'aanat farmane wale _," ( Bukhari - 4956, Muslim -253, 160, Ahmad - 6/232, 233)*
*★_ Bayhiqi ne Abu Qatada Se Rivayat hai k Najashi Ka Wafad aaya To Nabi ﷺ Nafees Nafees unki Asaa'ish ka Ahatmaam farmate they, Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya k Khidmat ke liye hum haazir hai'n, Farmaya - Haa'n! Magar in Logo'n ne Habsha me mere Sahaba Ki izzat ki thi, isliye Mai'n chahta hu'n k khud hi unki Zarurat ko poora karu'n _," ( Dala'il Al- Nabuwat 27/307, Attahaaf Al Sa'adat- 7/102)*
*★_ Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Maine Das Saal Nabi ﷺ ki khidmat ki, is Arse ke dauraan mujhe kabhi Hasht tak nahi ki, Maine Koi kaam kar liya to ye na farmaya k Kyu kiya ? Koi kaam na Kiya to ye na puchha k kyu na Kiya _," ( Bukhari-6038, Muslim -2309, Tirmizi -2015 )*
*★_ Huzoor ﷺ ne mujhe ek kaam ke liye farmaya, Maine kaha k Mai'n nahi jaata, Mere Dil me ye tha k Mai'n Jau'nga, Mai'n waha'n se nikla to ladko ke saath khail me lag gaya, ( Agaaze Khidmat ke waqt Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ki Umar 8 saal thi ) Nabi ﷺ bhi waha'n aa gaye, Meri gardan per haath rakha, Maine lot kar dekha to Huzoor ﷺ Ha'ns rahe they aur farmaya - Pyare Anas ! Ab to us kaam ko Jao, Mai'ne arz kiya - Haa'n, Mai'n ab jaata hu'n _," ( Muslim - 2309, 2310, Tirmizi -2015)*
[6/13, 6:56 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Nabi ﷺ Aksar Khamosh raha karte they, Bila zarurat nahi bola karte they, Jab bolte they to baat ka koi zaruri juz baqi na reh jata tha aur Koi Fizool lafz istemal na hota tha, Huzoor ﷺ ki Majlis Hilm v Haya aur Khayr v Amanat ki Majlis hoti thi, Tabassum hi Huzoor ﷺ ka Ha'nsna tha, Ashaab bhi Huzoor ﷺ ke Saamne Tabassum hi per iktfa karte they_," ( Shifa-11)*
*★_ Huzoor ﷺ ki Raast Goi ( Sach aur Saaf bolna ) esi Muslama ( Maanne Ke qabil ) thi k Nazar bin Haaris jesa Jaani Dushman Ek din Quresh se kehne laga k Muhammad ﷺ Bachpan hi se Tumme Sabse zyada pasandida, Sabse zyada Sachche, Sabse bad kar Amanatdaar maane jate they, Ab Jo unki Daadhi ke baal pak gaye aur Unhone Apni Taleem Tumhare Saamne pesh ki to Tumne keh diya k Wo Saahir hai, Nahi Nahi, Allah Ki Qasam ! Wo Saahir to nahi Hai'n _," ( Al Shifa -60)*
*★_ Khulasa Kalaam ye hai k Kya ese Akhlaaq Faazila ka Haadi Ese Mahasin Jamila ka Maalik, Ese Ashraaf Aqwaal Ka Sahib, Ese Jamilul Sujaya ka Mutahmil Esa hai k usse muhabbat ki jaye ? Ya esa hai k Usse Muhabbat na ki jaye ? Mai'n to yahi kahunga k jo koi ese Muhammad ﷺ, Ese Qabile Tareef , Ese Mehmmod, Ese Vajood ba Jood Ese Mustafa, Ese Barguzida se muhabbat nahi karta, Wo fil Haqeeqat in Jumla Akhlaaq v Sifaat se Muhabbat nahi rakhta aur isliye Wo khud bhi in Akhlaaq v Sifaat se muttasif hone ki Salahiyat nahi rakhta, ( Allah na kare )*
*★_ Aao ! Hum sab muhabbat kare'n aur Muhabbat karna unse seekhe, Jinko Allah ne khud Apne pyare ki Muhabbat v Sohbat ke liye Chun Liya tha, Ye Yaad rakhna chahiye k Muhabbat hi Adab v Toqeer Sikhati hai aur Muhabbat hi itteba v ita'at per Aamada karti hai, Tazeem wahi hai Jiska mansha Muhabbat ho aur ikraam wohi ikraam hai Jiska mubda (Asal, Buniyad) muhabbat ho _,"*
[6/15, 6:55 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★"_ Urwah bin Masoud Saqfi Ko Quresh ne Hudebiya se pehle Safeer bana kar Huzoor Aali ﷺ me Rawana kiya tha, Use Samjhaya gaya tha k Musalmano ke Halaat Ko zara gor se dekhe aur Qaum ko aa kar bataye, Urwah ne dekha k Nabi ﷺ Wazu karte hai'n to baqia Wazu ke Pani per Sahaba yu'n gire padte hai'n goya abhi lad padenge, Huzoor ﷺ ke Luaab vagera ko Zameen per nahi girne dete, Wo kisi na kisi ke haath per hi rok liya jata hai, Jise Wo Moo'nh per mal lete hai'n, Huzoor ﷺ Koi Hukm dete hai'n to Tameel ke liye sab daude padte hai'n, Huzoor ﷺ kuchh bolte hai'n to sab chup chaap ho jate hai'n _,"*
*★_ Tazeem ka ye haal dekha k Huzoor ﷺ ki jaanib Aa'nkh utha kar nahi dekhte, Urwah ne ye sab kuchh dekha aur Qaum se aa kar bayan kiya, Logo'n maine Kisra ka darbaar bhi dekha aur Qaisar Ka darbaar bhi, Najashi ka darbaar bhi dekha, Magar Ashaab E Muhammad ﷺ Jo Tazeem Muhammad ﷺ ki karte hai'n, Wo kisi Badshaah ko bhi Apne darbaar aur Mulk me haasil nahi _," ( Bukhari- 189, 4328)*
*★_ Zaid bin Wasna Raziyallahu Anhu ko Quresh Jab Sooli dene ke liye le chale to Abu Sufiyan bin Harb ne unse kaha - Zaid Tujhe Allah hi ki Qasam Tum chahte ho ? K Muhammad ﷺ ko Faa'nsi di jati aur tum Apne Ghar me Araam se hote, Zaid Raziyallahu Anhu ne kaha - Allah ki Qasam Mai'n to ye nahi chahta k Meri Rihaa'i ke badle Nabi ﷺ ke Paa'nv Mubarak me Apne ghar ke andar bhi Kaa'nta lage _,"*
*"_ Abu Sufiyan hairaan reh gaya aur yu'n kaha k Maine to kisi ko bhi na dekha Jo doosre Shakhs se esi Muhabbat rakhta ho, Jese Ashaab E Muhammad ﷺ ko Muhammad ﷺ se hai _,"*
[6/16, 5:17 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abdullah bin Yazeed Sahabi Ka Zikr hai, Unhone Nabi ﷺ se arz kiya k Huzoor ﷺ mujhe Ahal v Maal se zyada pyare hai'n, Jab Huzoor ﷺ mujhe yaad aate Hai'n to Mai'n ghar me Tik nahi sakta, aata hu'n aur Huzoor ﷺ ko dekh kar Tasalli pata hu'n, Magar Mai'n Apni maut aur Huzoor ﷺ ki maut ka Tasavvur karke kaha karta hu'n k Huzoor ﷺ to Firdaus Bari me Ambiya ke Buland Darje per ho'nge, Mai'n Agar Bahisht me Pahuncha bhi to kisi Adna muqaam me hu'nga aur Waha'n Huzoor ﷺ ka Didaar na pa Sakunga _,"*
*★_ Nabi ﷺ ne unhe ye Aayat padh kar sunayi aur unke Qalb ko Sakina ata farmaya:-*
*"_ ( Tarjuma) Jo koi Allah aur Rasool ki ita'at karta hai wo Un Logo'n ke Saath hoga Jin per Allah ka in'aam hua _,"*
*★_ Ek aur Sahabi Ka Zikr hai, Wo Nabi ﷺ khidmat me aate to Huzoor ﷺ hi ki Jaanib taak lagaye dekhte rehte, Nabi ﷺ ne puchha ye kya baat hai , Wo bole Mai'n Samajhta hu'n k Duniya hi Mai'n is Didaar ki bahaar loot lu'n, Aakhirat me Huzoor ﷺ ke muqame Rafi'a tak to hamari rasaa'i na hogi, is Waqi'e per Allah Ta'ala ne Aayat baala_ ( Tarjuma) Jo koi Allah aur Rasool ki ita'at karta hai wo Un Logo'n ke Saath hoga Jin per Allah ka in'aam hua ) ko naazil farmaya _," ( Tafseer Tibri - 8 /235)*
*★_ Nabi ﷺ ne Hadees Anas Raziyallahu Anhu me Saaf hi farma diya, Jo koi mujhse muhabbat rakhta hai, Wo mere Saath hoga _,"*
*"_ Is Hadees ki ibtida me hai k Nabi ﷺ ne Mujhe farmaya Agar Tu esi Subeh v Shaam me Zindgi Basar karta hai k Tere Dil me Kisi ka keena na ho, Tu Zaroor esa hi kar, fir farmaya - Yahi meri Ravish ( Tareeqa) hai, Jisne meri Ravish ko Zinda kiya usne mujhse muhabbat ki _," ( Ravaah Tirmizi )*
[6/17, 4:53 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Junge Uhad Ka zikr hai, Ek Aurat Ka Beta, Bhai, Shohar qatl ho gaye they, Wo Madina se nikal kar Maidane Jung me aayi, Usne puchha k Nabi ﷺ kese hai'n, Logo'n ne kaha - Alhamdulillah wo Ba Khayriyat Hai'n, Jesa k Tu chahti hai, Boli -nahi, mujhe dikha do k Huzoor ﷺ ko dekh lu'n, Jab uski nigaah chehra Mubarak per padi to wo Josh Dil se bol uthi, Aap Zinda hai'n to Ab har Musibat ki bardasht Asaan hai _," ( Zarkaani -6/ 290, Ye Khatoon Hind Zoja Amr bin Al Jamoo Ansariya hai'n)*
*★_ Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ye kehte hai'n k Rasulallah ﷺ se badh kar mujhe koi bhi pyara na tha magar mere Dil me Huzoor ﷺ ka Jalaal is qadar tha k Mai'n Aa'nkh bhar bhar kar Huzoor ﷺ ko na dekh sakta tha _,"*
*★"_ Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n, Nabi ﷺ ke Ashaab Muhajireen v Ansar bethe hue hote, Unme Abu Bakar v Umar Raziyallahu Anhum bhi hote, Huzoor ﷺ bahar Tashreef laate to koi bhi Huzoor ﷺ ki jaanib nigaah buland na karta, Haa'n Abu Bakar v Umar Raziyallahu Anhum dekha karte, Huzoor ﷺ unko dekha karte, Huzoor ﷺ bhi Tabassum farmate aur wo bhi Tabassum farmate hote they _,"*
*★_ Nabi ﷺ ne Suleh Hudebiya ke moqe per Usman Gani Raziyallahu Anhu ko Makka me Apna Safeer bana kar bheja, Quresh ne kaha Tum Baitul Haraam me aa gaye ho, Tawaaf kar lo, Unhone jawab diya k Nabi ﷺ se pehle me bhi Tawaaf na karunga _,"*
*★_ Ali Murtaza Karamullahu Wajhu se kisi ne puchha k Rasulallah ﷺ ke Saath Tumhari Muhabbat kesi hoti thi, Farmaya- Ba Khuda! Nabi ﷺ hum ko maal v Aulaad se, Farzand v Maadar se zyada Mehboob aur isse zyada pyare they jesa Thanda pani pyase ko hota hai _,"*
[6/18, 7:59 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jazbaat E Muhabbat ko dekhna ho To us waqt dekh jab Koi Sahabi Nabi ﷺ ka zikr karta ho, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n - Rasulallah ﷺ khush Khalqi me sab Logo'n se badhe hue they, Maine Resham ka Dabeez ya Bareek kapda ya koi aur cheez esi nahi chhu'i Jo Nabi ﷺ ki hatheli se zyada naram ho, Maine kabhi koi kastoori ya koi Atar esa nahi soo'ngha Jo Nabi ﷺ ke Paseene se zyada khushboo wala ho _,"*
*"_ Jaabir bin Samra Raziyallahu Anhu se kisi Shakhs ne puchha k Kya Nabi ﷺ ka chehra Talwaar jesa chamakta tha To bol uthe :-*
*"_ Nahi nahi Huzoor ﷺ ka Chehra to Aaftaab v Mahtaab jesa tha _," ( Bukhari -3552, Daarmi - 64, Dala'il Al-Nabuwat -1/269)*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n:- Nabi ﷺ ka rang Safed Roshan tha, PaSine koi boond Huzoor ﷺ ke chehre per esi nazar aati thi Jese moti _," ( Bukhari-3561, Majma Az Zawa'id- 8/280)*
*★_ Jaabir bin Samra Raziyallahu Anhu kehte hai'n Nabi ﷺ Masjid se nikal kar ghar ko chale to Bachcho ne Huzoor ﷺ ko gher liya, Huzoor ﷺ har ek ko pyaar dete, Unke Moo'nh per haath fairte they, Mere Rukhsaar per bhi Huzoor ﷺ ne haath rakha, Mujhe Thandak si pad gayi aur Esi Khushbu aayi Goya wo haath abhi Joo'e Ataar se nikala gaya tha _," ( Bukhari -3553, Muslim -6052, Mishkaat - 5789)*
[6/19, 8:18 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ali Murtaza Raziyallahu Anhu farmate hai'n -Jo koi yakayak Huzoor ﷺ ke saamne aa jata wo dahal jata, Jo pehchan kar Paas aa Bethta wo Shaida ho jata, dekhne wala kaha karta k Maine Huzoor ﷺ jesa koi bhi isse pehle ya pichhe nahi dekha _," ( Tirmizi - 3647, Dala'il Al-Nabuwat - 2691)*
*★_ Rabi'a bint Ma'uz Raziyallahu Anha Sahabiya hai'n, Unse Amaar bin Yaasir Ke pote ne kaha k Nabi ﷺ ka kuchh huliya bayan farmaye'n, Unhone farmaya - Agar Huzoor ﷺ ko dekh leta to samajhta k Suraj nikal aaya _,"( Daarmi -60, Majma Az Zawa'id- 8/280)*
*★_ Jaabir bin Samra Raziyallahu Anhu kehte hai'n - Chaand raat thi, Nabi ﷺ Surkh Rang Ki Chaadar odhe let rahe they, Mai'n Kabhi chaand Ko dekhta tha Kabhi Huzoor ﷺ per nigaah daalta tha, bil Aakhir maine to yahi Samjha k Huzoor ﷺ Chaand se zyada khushnuma hai'n _," ( Shama'il Tirmizi 10, Daarmi 57, Tirmizi 2811)*
*★_ Umme Sulem Raziyallahu Anha Jo Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ki walda hai'n, Ek Nek Maa'i hai'n, Nabi ﷺ kabhi kabhi dopahar ko unke ghar sote, Bistar chamde ka tha, Huzoor ﷺ ko paseena aaya karta tha, Umme Sulem Raziyallahu Anha Paseene ki boondo ko jama kar leti aur Sheeshi me ba Ahatyaat rakh leti thi, Nabi ﷺ ne unko esa karte dekha to puchha to unhone kaha - Huzoor ﷺ ka paseena hai, Hum ise Atar me mila lengi aur ye to Sab Atro se badh kar Atar hai _," ( Bukhari - 6281, Muslim - 6055)*
[6/20, 7:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Samjhe hue they k Muhabbat sirf imaa'e Lafzi se saabit nahi ho sakti, Wadoodul Gafoor ne bhi un Logo'n ko Jo Allah se Muhabbat ka Daava rakhte they, Saaf Tor per farma diya tha K Agar Allah se Muhabbat hai to Rasulallah ﷺ ka itteba karo _,"*
*★_ Isliye Sahaba Raziyallahu Anhum ne itteba E Rasool ﷺ me Wo Wo kaam kiye Jo Hazaaro Saal tak islam ki Sadaqat aur Sahaba Kiraam ke Khuloos aur Muhabbat Nabi ﷺ ke Sahi ma'ani ke mafhoom Zaahir karte rahenge_,"*
*★_ Sahaba Raziyallahu Anhum ke Halaat se Waaze hota hai k Wo Nabi ﷺ ka Adab aur Toqeer v Tazeem kyu Kar kiya karte they, Mugira ki Rivayat me hai k Agar kisi Sahabi ko Huzoor ﷺ ke Dare daulat per dastak ki bhi zarurat pada karti to wo Apne Nakhoono ke saath Darwaza khatkhataya karte they,*
*"_ Koi Sahabi Huzoor ﷺ ke Saamne esi Awaaz se na bolta k uski Awaaz Huzoor ﷺ ki Awaaz se ou'nchi hoti, is Adab ki Taleem khud Rab E Bartar ne di thi :- "Ey imaan walo ! Apni Awaaz ko Nabi ﷺ ki Awaaz se buland na karo _," ( Surah Al Hujraat -2)*
*★_ Muhabbat E Nabi ﷺ ki ek Alamat ye hai k Huzoor ﷺ ka Zikr E Khair Zubaan per Aksar Jaari rahe, Hadees Paak me hai :- Jis kisi ko koi cheez pyari hoti hai Wo uska Zikr Aksar kiya karta hai _,"*
[6/21, 9:09 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Muhabbat E Nabi ﷺ ki ek Alamat ye hai k Aal E Nabi ﷺ ke Saath Sachche Dil aur Shaffaf Qalb se muhabbat ho_,*
*★_ Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Halaat me hai k Jab wo Sahaba Kiraam ke Rozine Muqarrar karne lage they to Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ( Apne Farzand) ka Rozina Teen Hazaar muqarrar kiya aur Osama bin Zaid Raziyallahu Anhu ka Teen Hazaar Paa'nch So Saalana, Abdullah Raziyallahu Anhu ne kaha- Osama Raziyallahu Anhu ko konsi Fazilat haasil hai, Wo kisi gazwe me meri tarah haazir nahi raha, Farooq Raziyallahu Anhu ne kaha:- Uska Baap Tere Baap ( Umar Raziyallahu Anhu) se aur Wo khud tujhse Rasulallah ﷺ ko zyada pyare they, isliye maine Apne pyare per Nabi ﷺ ke Pyare ko Tarjeeh di hai _," ( Tirmizi -3813, Kitabul Kharaaj Abu Yusuf -24-25)*
*★_ Imamain Shaheedain Hasnain Raziyallahu Anhum aur Unke Abween Tayyabeen ki Muhabbat Ayn Muhabbat E Nabi ﷺ hai, Unke Fazail yaad rakhna, bayan karna, Unke Aswa E Hasna per Amal karna Ayn Muhabbat E Nabi ﷺ hai _,"*
*★_ Muhajireen v Ansar Raziyallahu Anhum se Jinke Ausaaf Qur'an Majeed v Ahadees Paak me ba Kasrat mojood hai'n, Muhabbat rakhna Muhabbat E Nabi ﷺ hai, ittiba e Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum aur Mutab'at Sunnat e khulta e Rashideen Raziyallahu Anhum Ayn Muhabbat E Nabi ﷺ hai _,"*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
[6/22, 6:50 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Khususiyat Nabviya Az Ahadees E Mustafa ﷺ:-*
*"_Sahiheen me Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulallah ﷺ ne farmaya mujhe Paa'nch esi cheeze di gayi hai'n Jo mujhse pehle kisi ko nahi mili,*
*"(1)_ Abhi ek maah ki musafat ho k Dushman per Mera Roab taari ho jata hai,*
*"(2)_ Saari Zameen mere Liye masjid aur Pakiza bana di gayi hai Jo Jaha'n chahe Namaz padh sakta hai,*
*"(3)_ Ganimat ka maal mere liye Halaal kar diya gaya hai Jo pehle kisi per halaal nahi tha,*
*"(4)_ Mujhe Shafa'at ka haq diya gaya hai,*
*"(5)_ Pehle Nabi Apni Qaum ke liye khaas hua karte they magar Mai'n Saari Duniya ke liye Nabi ho kar aaya hu'n _," ( Bukhari -335, Muslim -1163, Nasaa'i-430, 735)*
*★_(1)_ Nusrat Bil Roab:- Nabi ﷺ ke 23 Saal Ahade Nabuwat per nazar daalo, Sarware Aalam ﷺ Tableeg v Dawat ke liye Shehar Makka ke andar aur Abaadi Makka se bahar Akele Tane Tanha raat ho ya din Tashreef le jaya karte they, Magar kisi Shakhs ko Huzoor ﷺ per hamla karne ka hausla nahi hua _,"*
*★"_ Mandiyo'n aur Melo me Jaha'n Hazaaro Log aur Pachaso Mukhtalif Qabilo ka ijtima hu karta tha, Huzoor ﷺ jaate aur Kalma Toheed ka elaan farmate, Makka se door daraaz Qaba'il me Jo Khushunat Akhlaaq ( Sakht) aur khoo'nrezi v Bebaaki me bahut zyada Mash'hoor they, Huzoor ﷺ ne Tableeg ke liye Kai chakkar lagaye, Is Safar me Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Siva aur koi bhi Huzoor ﷺ ke saath na hota tha, Huzoor ﷺ har jagah Dawat farmate, Har per Hujjat ilahiya khatm karte aur koi bhi Huzoor ﷺ ke Saamne bar sare pekaar na aata,*
*★_ Aagaze Safare Hijrat se Teen Roz pehle ek ek Qabile ka bahadur Dushmano ne jama kar liya tha, Unhone Huzoor ﷺ ke ghar ka muhasra kar liya tha lekin har ek ke dil per yakta Roab tha k Andar Dakhil hone ki kisi me jurrat na thi, Saari Raat isi intezar me poori kar di k Huzoor ﷺ khud hi bahar Tashreef laye'n to hum kuchh kare, Jab Huzoor ﷺ Tane Tanha bahar bhi nikle to Allah ka Kalaam padhte hue nikle, mutthi bhar khaak utha kar unke Saro per bhi fai'nk di, Huzoor ﷺ ki taraf koi Nazar utha kar bhi na dekh saka _,"*
[6/23, 7:31 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Taa'if Ka Hukmraan aur Tamaam Bashinde Huzoor ﷺ ke khilaaf hai'n magar unki Sang baariya'n v Shararat sirf isi had tak mehdood hai k Huzoor ﷺ ki Taqreer na ho sake, Aakhir wohi Ahle Taa'if hai'n aur Wohi unka Hukmraan ibne Abdiyalail k khud ba khud Madina me Haazir hote aur Dakhile islam ho jate hai'n,*
*★_ Nusrat Bil Roab ki misaale us zamane ki badi badi Saltnato ke halaat se bhi hoti hai'n, Yaman Saltnat Iraan ke qabze se nikal jata hai aur kisi Jung ke bager mati e islam ho jata hai, magar Yaman ki Saltnat Iraan yaman ki taraf Moo'nh bhi nahi karti, isliye k Huzoor ﷺ ka Roab inke dilo dimaag per mustwali tha, Shumali Arab Saltnat Roma ke iqtidaar se nikal jata hai aur Roma ka Shehanshah Farahami Afwaaj aur Hamla Aawari ka hukm bhi jari kar deta hai aur uski mudaf'at ke liye Huzoor ﷺ Arab ki Sarhad Tabook tak Tashreef le jata hai'n magar Ek Mahine ki Raah Per ( Yarushlam me ) bethe hue Emperor ka Dil khof se bhar jata hai aur Saabqa Jung ka Hukm mansookh kar ke dam ba khud ho kar beth jata hai,*
*★_ Arab ki Qadeem Tareen Saltnate Hira v Gasaan qaa'im hai'n, Unhi ke darbaar ke Khaas Shayar Hassan bin Saabit Raziyallahu Anhu aur Kaab Ansari Raziyallahu Anhu Taaj Posh Badshaaho ko chhod kar boriya Nasheen Rasool ﷺ ke Aastaan per haazir ho gaye hai'n magar Un Saltnato me se kisi ko ye Hausla nahi padta k Apne Sho'ara E khaas ko waapas lene ke liye hi izhaare Taaqat kare'n aur Darbaare Aali ke khuddam tak koi dhamki se mila hua Fiqra bhi pahuncha sake,*
*★_ Zi Zulem, Zi Yazan Ki Hukumate Yaman ki jaanib aur Makka se mutasal qaa'im hai'n, Unme se har ek Hukumat ke paas ba qaayda Fauj bhi mojood hai aur Khazane bhi mamoor hai'n, Wo ghar bethe Huzoor ﷺ ka Kalma padhne Lage hai'n, Adwaan v Sarkashi ka khayal tak bhi unke dimaag me nahi aata, Zul Kalaah Humeri Apne ghar me betha 15 Hazaar Gulamo se Sajda karwata tha aur khuda kehlata tha lekin ese Rasool ﷺ se Wo bhi dil hi dil me dar raha hai _,"*
*★_ Nabi ﷺ ki ye Sifate Khaas Nazdeek v Door har jagah jalwa gastar hai, Ameerul Momineen Ali Murtaza Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jo koi Huzoor ﷺ ke Saamne yakayak aa jata wo dehshat zada ho jata , Ye Wo Nusrate ilaahiya thi jo Roab ban kar Huzoor ﷺ ki Hashmat v Azmat ko dobaala kar rahi thi, Wa Sallallahu Alaihi Habeebi Muhammad wa Aalihi wa Baarak wa Sallam _,"*
[6/25, 5:23 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (2)_ Roo'e Zameen me Masjid v Tahoor Hona :-*
*"_ Yahood Apne Kanisa aur Iysaa'i Apne Kalisa ke bager Namaz na padha karte they, Majoosi bhi Paak Aag ke Aatish Kada ke bager ibaadat na Kiya karte they, Musalmano ki Namaz mehraab ibaadat ki mohtaat nahi hai, Unka Garmaya hua Dil aur Roshan Aa'nkhe Aag ki Hararat aur Ziya se beniyaz hai, isliye Roo'e Zameen ka har ek Buqa aur Ek Ek Qitta Unki Sajda Rezi ke liye mozu hai, Un per Khade, bethe aur lete lete zikr ki haalat taari hai , isliye Allah Ta'ala ne Roo'e Zameen ko Huzoor ﷺ ki Masjid bana diya _,"*
*★_ Ye Sharf usi Haqa'iq Shabash ko mila jiski nigaah me Kaynaat ka patta patta Toheed ke Tarannum me hai, Jiske Saamne Registaan ka zarra zarra Anwaar Qudsi ka Aaina daar hai, Jise Har Mazhar Jamaal lam yazli aur Muraat Jalaal Qudsi nazar aati hai, Jiske Kaano me pattharo ki Tasbeeh aur Sabza ki Tamheed har waqt naara Takbeer v Zamzama Tehleel se bhari hui nazar aati hai, isiliye Tamaam Roo'e Zameen masjid bana di gayi _,*
*★_ Tahoor Se Muraad Wazu hai, Badan Ke Hisse Ka Shara'i Hidayat Ke Mutabiq Pani se dhona Wazu Kehlata hai, Wazu Namaz Ke Liye Shart hai, Magar Namaz Ka Tark kisi haalat me Rawa nahi, Aam Tor per ye Samjha ja sakta tha k Shart ke na hone se mashroot bhi mafqood ho jana chahiye aur Jaha'n Wazu ke liye Pani mayassar na ho waha'n Namaz bhi maaf ho Jani chahiye, Lekin kya Namaz un Logo'n per maaf ho jati hai Jo ghaas ke patte patte se Wahdahu La Shareek La wale aur Darakht Ke patte patte ko daftare Ma'arfat jaanne wale hai'n _,"*
*★_ Zaroori tha k insaan Husoole Taharat ke liye koi doosri tadbeer Akhtyar karta, insaan mitti hi se bana hai Mitti hi uski Asal hai aur mitti hi usko ban jana hai, Mitti hi makhluqaat ka gehwara hai aur Mitti hi se Kaynaat Ardhi Apni Khuraak haasil karti hai, isliye is mitti hi ko Tahoor bhi bana diya gaya _,"*
*★_ Mitti Kaha'n nahi mil sakti ? Jaha'n Pani na hoga Waha'n per mitti to Zaroor mil jayegi, Khaak Aalood haatho ka chehre per fair lena is Ajz v Taqarrur ko hi zaahir karta hai, Jisne Tahoor Turaab per imaandaar Ko Majboor kiya, Algarz ye Khususiyat Nabi ﷺ hi ki hai k Huzoor ﷺ ne Turaab Roo'e Zameen ko hamare liye Tahoor bana diya aur Huzoori Bargaah e Rabbani se kisi haalat me bhi door v Majboor na hone diya _,"*
[6/27, 4:29 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (3)_ Hillat E Maganam :-*
*"_ Hazrat Moosa Alaihissalam Hazrat Yusa bin Noon Alaihissalam ki Futuhaat me Jis qadar Maganam haasil hote they unko Aag me daal diya jata tha, Toraat me Jaanwaro tak ko jala dene ka zikr milta hai, Nabi ﷺ ke gazwaat me sabse pehle Gazwa Badar me ganimat haasil hui, Maale Ganimat jama bhi hua aur Taqseem bhi kiya gaya, Lekin fir bhi Lashkar me ese log mojood they Jo Shariat Moosavi ki Nazeer per maale ganimat ka lena khatarnak cheez samajhte they, Allah Ta'ala ne unhi ke itminaan ke liye ye Aayat Naazil farmayi, ( Tarjuma) Agar Allah ki taraf se pehle kitaab me esa na hota tab jo kuchh tumne wasool Kiya hai uske liye tum per bada azaab hota, ab tum ganimat ko halaal tayyab samjho aur kha'o _", ( Al Anfaal -68-69)*
*★_ Doosri jagah hai:- ( Al Fatah -20-21) Allah ne tumse Maganam Kaseer ka vaada kiya jinko tum haasil karoge Lihaza ye to tumko jald hi de di ( Khaibar ) aur Dushmano ke haatho ko tumse rok diya hai taki Momineen ke ye ek Nishan ho aur Tumko Allah Siraate Mustaqeem per chalayega aur bhi Maganam bahut hai'n Tumko un per Qudrat nahi magar Allah ne un per Ahata kar rakha hai aur Allah har cheez per qudrat wala hai _,"*
*★_ Ye Maganam Kaseer hi hai'n Jo Saltnat Iraan aur Roma per Futuhaat haasil karne per Musalmano ko haasil hui, Chu'nki ye vaada Momineen ko mukhatib farma kar kiya gaya tha isliye is Vaade ka iefa ( poora hona ) bhi khilafate Rashida ke waqt me hua, Jabki Sarware Kaynaat ﷺ Aalame Baqa ko sidhar gaye they,*
*★_ Waaze ho k ye ek vaada na tha balki Momineen se Teen Vaade kiye gaye they, Doosra vaada ye tha k Dushman ke haath tumse Kotah rahenge, is Vaade ke mutabiq khilafate Rashida ke waqt me koi dushman islami Faujo per gaalib na aa saka tha, Teesra vaada Siraate Mustaqeem ka tha aur Wo bhi Apni Zaahiri aur Baatini Barkaat ke saath usi tarah poora hua Jis tarah pehle Do vaade hue _,"*
[6/29, 10:24 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(4)_ Ata E Mansab Shafa'at:-*
*"_ Shafa'at Shafi se hai, Shafi ke Ma'ni hai'n ek Shay ko doosri shay ke barabar jo uski jins se ho, shamil kar dena, Aksar Awqaat kisi A'ala Murattab Shakhs ko kisi Adna ke saath mil kar koi kaam sar anjaam dene ke ma'ani me iska istemal hota hai _,*
*★_ Masla Shafa'at islam se pehle bhi Arab me musallim tha aur Yahood v Iysaa'iyo me bhi tasleem kiya jata tha, Wo Samajhte they k Shafi Apni izzat v waqaar aur zaati iqtidaar v Akhtyar se jise chahe Allah ke Azaab se chhuda sakta hai,. Shafi un sabko jo usi ke ho kar rahe, Na'ama e Aakhirvi v Duniyavi ata farma sakta hai, in Aqeede walo ko Allah ki hasti aur uski qudrat ka inkaar na tha, Lekin wo ye samajhte they k ilaahi iqtidaar un Shakhso ko bhi haasil hai jo unke Shafi hai'n, Lihaza Shafi ki ibaadat se mustagna kar deta hai, Shafi ki Razamandi Allah ki Razamandi se Muqaddam tar hai kyunki Allah Ta'ala kisi bande per gazabnaak bhi ho aur uska Shafi Raazi ho to wo use Allah Ta'ala ke gazab se bacha lega, Lekin agar Shafi gazabnaak ho jaye to Allah Ta'ala us Shafi ko bande per meharban na kar sakega _,"*
*★_ Allah Ta'ala ne inhi Logo'n ke mutalliq farmaya hai- (Surah Yunus-18 Tarjuma)- Log Allah ke Siva auro ki ibaadat karte hai'n Jo na unka kuchh bigaad sakte hai'n na faayda kar sakte hai'n Ye log kaha karte hai'n k ye to hamari Shafa'at karne wale hai'n Allah ke paas _,"*
*★_ inhi logo'n ke haq me doosri jagah farmaya- (Surah Zumar - 3 Tarjuma) :- Jin Logo'n ne Allah ke Siva auro ko Auliya bana rakha hai wo kehte hai'n k hum to unki ibaadat sirf isliye karte hai'n k ye humko Allah ke Qurb me le jayenge _,"*
[6/29, 11:15 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Iysaa'i Hazrat Iysaa Alaihissalam ko Apna Shafi banate Hai'n aur fir usi ko Apna Khudawand ( misl ) khuda kehte hai'n, usi ko dua aur munajato me pukarte, usi se muraade maangte Hai'n aur kaha karte hai'n k wo Allah Ta'ala ke Takht per uske Dahine haath betha hai, Jo koi use pukarta hai usse madad maangta hai, use Apna kaarsaaz jaanta hai, uski maseeh khud hi Apne Baap khuda se bacha leta hai aur bakhshwa leta hai _,"*
*★_ Qur'an Majeed ne Awwal to unke is Aqeede ko Baatil farmaya hai aur iske radd v batalin ke liye Mukhtalif Usloob ke saath Kalame ilaahi Naazil hua, Hamara imaan hai aur ye imaan Qur'an v Hadees ki khabro per mubni hai k Wo Shafi Sayyadna v Maulana Hazrat Muhammad ﷺ hai'n _,"*
*★_" Tera Rab tujhe muqame Mehmmod per zaroor khada karega _," ( Surah Bani israily-79)*
*"_ Maqame Mehmmod wo Maqame Shafa'at hai k Jab Nabi Kareem ﷺ us maqaam per Jalwa numa honge To Jumla aur Awwaleen v Aakhireen Huzoor ﷺ ki Tareef karenge ( Tafseer khaazin ) is Aayat ki Tafseer me Wo Hadees Shahi mojood hai jise imaam Muslim ne apni Tafseer me ba Rivayat Anas Raziyallahu Anhu darj farmaya hai:-*
*★"_ Jab Allah Ta'ala Logo'n ko Qayamat ke Din jama karega, Tab unke dil me ye baat daali jayegi k Hum Agar Allah Ta'ala ki janab me kisi ko Shafa'at ke liye pesh kare'n ( to khoob hai ) Taki Allah Ta'ala humko is jagah se Nijaat de, Tab log Aadam Alaihissalam ke paas aayenge aur kahenge k Aadam Alaihissalam Abul Bashar hai'n Allah Ta'ala ne Aapko Apne haath se banaya, Fir jannat me thehraya, fir Farishto ne Aapko Sajda kiya aur Allah Ta'ala ne jumla Asma ki taleem Aapko di, Lihaza Aap hamari Shafa'at kare'n k Allah Ta'ala humko Yaha'n se Nijaat ( Raahat ) de,*
*"_Wo kahenge nahi, Mai'n nahi kar sakta , Fir wo Apni Khata ka zikr karenge aur Allah Ta'ala se Haya ka Zikr kar ke kahenge Tum Nooh Alaihissalam ke paas jao, Wo pehle Rasool hai'n, Tab Log Nooh Alaihissalam ke paas jayenge, Nooh Alaihissalam kahenge Nahi, Mai'n nahi, Wo bhi Apni khata ka zikr karenge aur Allah se haya karenge aur farmayenge Tum Ibrahim Alaihissalam ke paas jao jinko Allah Ta'ala ne Apna Khaleel banaya hai, Wo kahenge nahi, Mai'n nahi, Wo bhi Apni khata ko yaad karenge aur Allah Ta'ala se Haya karenge, Kahenge Moosa Alaihissalam ke paas jao, Jinse Allah Ta'ala ne Kalaam bhi kiya aur unhe Toraat bhi di, Wo kahenge nahi, Mai'n nahi, Wo Apni khata ka zikr karenge aur haya ka, Fir kahenge Tum Iysaa Roohullah Alaihissalam ke paas jao, Iysaa Alaihissalam Kahenge Mai'n nahi, Tum Muhammad ﷺ ke paas jao, Wo Allah Ta'ala ke ese bande hai'n k unko Allah Ta'ala ne Agla pichhla sab kuchh maaf kar diya hai _,"*
*★_ Rasulallah ﷺ farmate hai'n k Tab log mere pass aayenge aur Tab Mai'n Apne Rab se Azn haasil karunga, mujhe Azn diya jayega , Fir jab Mai'n Apne Rab ko dekhunga to Sajde me gir padunga, Fir Allah Ta'ala mujhe Dua sikhayega wo Jo kuchh chahega meri zubaan se kehlayega _,"*
*★_ Tab Allah Ta'ala farmayega - Ey Muhammad ﷺ apna sar uthao, bolo tumhari suni jayegi, maango tumko diya jayega, Shafa'at karo tumhari Shafa'at qubool hogi _,"*
*" _ Rasulallah ﷺ farmate hai'n k Mai'n sar uthaunga aur fir Allah Ta'ala ki Hamd karunga, Wo Tahmeed mujhe Allah Ta'ala hi sikha dega, fir Mai'n Shafa'at karunga, Fir mere liye ek had muqarrar kar di jayegi, Mai'n utne Logo'n ko Aag se nikalunga aur jannat me dakhil karunga _," ( Bukhari - 741, 4712, Muslim - 193, Ahmad -3/116)*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Teesri dafa ya chothi dafa me Rasulallah ﷺ ne farmaya k fir Mai'n kahunga - Ey Rab ab To Aag me wohi reh gaya jisko Qur'an ne rok rakha hai, Yaani wohi jis per khulood ( Hamesha) waajib hai, Bukhari ki ek Rivayat me ye hai k Nabi ﷺ ne fir ye Aayat ( Bani Israily-79) padhi aur farmaya k muqame Mehmmod jiska vaada Allah Ta'ala ne tumhare Nabi se kiya hai, Wo yahi muqaam hai _," ( Bukhari -741, Muslim -193, Musnad Ahmad - 3/116)*
*★_ Hadees E baala se saabit hua k Mansab Shafa'at bil Takhsees Nabi ﷺ hi ko ata hua , Aadam v Nooh v Moosa v Iysaa Alaihissalam bhi Shafa'at ki jurraat na karenge aur bil Aakhir Sabke nazdeek Huzoor ﷺ hi is Mansab Aliya aur Shafa'at Kubra ke ahal saabit honge,*
*★_ Logo'n ka Huzoor ﷺ se pehle digar Ambiya Alaihissalam ke paas jane se ye nukta haasil hota hai k kisi Shakhs ko ye Shubha baqi na rahe k Agar Hun Sarware Aalam ﷺ ke Siva kisi doosre ke paas jate to mumkin tha k wo bhi Shafa'at kar hi dete, Ab Jab har jagah Saaf jawab mil jayega to sabki yaqinan maloom ho jayega k Mansab Shafa'at me koi Nabi , koi mursil , koi Uloolul Azm bhi Huzoor ﷺ ka Shareek nahi aur Yahi Amr Huzoor ﷺ ki Khususiyat khaassa ka mazhar hai _,"*
[7/1, 6:39 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(5)_ Wama Arsalnaaka illa Rehmatallil Aalameen:-*
*"_ Duniya me Hazaaro Namoor Shakhs guzre hai'n Jo Aasmane Shohrat per Anjuman ho kar chamke, Kisi ka laqab Maharaja to koi Shehanshah Kehlaya, Koi Mahadev Koi Yoddha vagera vagera, Ye aur is jese Kai digar khitabaat us Shakhs ki Apni zaat aur Ausaaf se mutalliq ek numaya Khususiyat ke mazhar hai'n Lekin ese khitabaat se ye Waaze nahi hota k Duniya bhar ki makhluqaat se is Hasti ki kya nisbat hai ?*
*★_ Lekin Rehmatullil Aalameen ﷺ Esa Khitaab hai Jo sirf isi nisbat aur Talluq ka mazhar hai Jo mamduhul Wasf ( Jiski Tareef Bayan ki Jaye) ko Makhluqaat Ke saath hai, Rehmat ke maani Pyaar, Daya, Taras, Hamdardi, Gamgusari, Muhabbat aur Khabargiri hai, Koi Shakhs hai jo ye keh sakta hai k use mindarja baala Akhlaaq ki kuchh zarurat nahi aur in Ausaaf ke fuyooz se mustagni reh sakta hai, Galiban koi bhi esa Shakhs nahi niklega_,"*
*★_ Aalam Almiyat ki Sift se bana hai yani wo har ek Shay jisme Namudaar hone, Zahoor pakadne, Apni Hasti ko numaya karne aur Apne Vajood ki namdood rakhne ki qabiliyat hai, Wo Lafz Aalam se mosoom hone ki Salahiyat rakhta hai,*
*★_ Ab andaza kar lo us Hasti ka jiska Sabse pyar hai, Jo Sab per Taras khata hai, Jo har ek ka Hamdard Gamgusar hai, Jiski muhabbat aam hai Jo Har ek Muqtaziyaat ( Khwahishat) ko apni Taleem se poora kar sakta hai, Jo har ek Wasawis ko Apne Haqa'iq se Hamdard dost bana sakta hai, Jiske Fuyooz se Maddiyaat v Zehniyaat Tasavvuraat v Tasdiqaat ko Shadaabi v Durusti, Sehat v Sadaqat haasil hoti,*
[7/2, 6:56 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Rabbul Aalameen ne Sayyadna v Maulana Muhammad Rasulallah ﷺ ko Rehmatullil Aalameen farma kar ye zaahir kar diya k Jis tarah Parwardigaar ki Uloohiyat Aam hai aur Uski Rubuviyat se koi ek cheez bhi Laparwa nahi reh sakti, Usi tarah Rasoole Kareem ﷺ ki Talimaat sabke liye aur Sabke Faayde ke liye hai aur Koi shay bhi Huzoor ﷺ ki Rehmat se khud ko mustagni Saabit nahi kar sakti,*
*★_ Huzoor ﷺ ki seerat per goar karo aur Huzoor ﷺ ko Rehmatullil Aalameen hone ka mafhoom is Seerat se samajhne ki koshish karo, Rehmatullil Aalameen wo hai Jisne 14-15 saal ki umr me Harbul Najaar ko dekha, Us waqt se ek Qaum ka doosri Qaum per hamla Aawar hona, insaan ka insaan ko Shikaare Gazab v Dehshat banana pasand farmaya,*
*★_ Rehmatullil Aalameen wo hai jisne Nabuwat se pehle Makka Muazzam me ek Anjuman qaa'im ki thi, Jiske Member qasam khaya karte they k Wo Mazloomo ki imdaad kiya karenge, Aurto'n aur Yateemo per zulm na hone denge, Qatl v Gaarat ke rokne ki koshish Kiya karenge,Musafiro ki hifazat aur i'aanat farmate,*
*★_ Rehmatullil Aalameen wo hai jisne Dushman Ko bhi dost bana lene ki tadbeer sikhayi:-*
*"_ Burayi ki mudaf'at khoobi v neki se karo, Fir to tumhari adawat wala bhi tumhara garm Josh Dost ban jayega _," ( Hameem Sajdah- 34)*
*★_ Rehmatullil Aalameen wo hai Jisne Adawat karne wale Dushmano, Huqooq Jaa'iz se mehroom karne wale Dushmano, ibaadat se rokne Wale Dushmano ke saath bhi har ek inteqami Karywahi karne se Ahle imaan ko roka, Is waqt Jab k Ahle imaan me inteqam lene ki Taaqat v Quwaat bhi mojood thi _,"*
*★_ Rehmatullil Aalameen wo hai jisne Logo'n ko Rehbaniyat ( Sanyaas) se roka, "islam me Rehbaniyat nahi," ke irshad se Tamddun aur insaniyat ko Taaj e imtiyaz farmaya :-*
*"_ Rehbaniyat to Logo'n ki khud sakhta ghadat hai, Allah ne to ise insaan ke liye bhi mufeed nahi farmaya _," ( Al Hadeed- 27)*
*★_ Rehmatullil Aalameen wo hai jiski nigaah me Romi, Yunani, Misri v Sudani sab barabar hai'n, Jiske darbaar me mud'am Sudani Bilaal Habshi, Firoz Khurasani, Salman Faarsi, Suhaib Rumi, Osama Najdi aur Adi bin Haatim Taa'i Raziyallahu Anhum pehlu ba pehlu bethe hue Hai'n, Jaha'n Jundul ka Badshaah Akela nahi balki Hukmraan Aal Hameer ka Adi Uluhiyat Zulkala aur Yaman ka bada Kaahin Zumaad, Gulamane Bargaah se bahut pichhe Safe na'al ( Jooto ) me khurram v Shaadmaan mojood hai'n_,"*
[7/4, 8:03 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(5)_ Wama Arsalnaaka illa Rehmatallil Aalameen:-*
*"_ Duniya me Hazaaro Namoor Shakhs guzre hai'n Jo Aasmane Shohrat per Anjuman ho kar chamke, Kisi ka laqab Maharaja to koi Shehanshah Kehlaya, Koi Mahadev Koi Yoddha vagera vagera, Ye aur is jese Kai digar khitabaat us Shakhs ki Apni zaat aur Ausaaf se mutalliq ek numaya Khususiyat ke mazhar hai'n Lekin ese khitabaat se ye Waaze nahi hota k Duniya bhar ki makhluqaat se is Hasti ki kya nisbat hai ?*
*★_ Lekin Rehmatullil Aalameen ﷺ Esa Khitaab hai Jo sirf isi nisbat aur Talluq ka mazhar hai Jo mamduhul Wasf ( Jiski Tareef Bayan ki Jaye) ko Makhluqaat Ke saath hai, Rehmat ke maani Pyaar, Daya, Taras, Hamdardi, Gamgusari, Muhabbat aur Khabargiri hai, Koi Shakhs hai jo ye keh sakta hai k use mindarja baala Akhlaaq ki kuchh zarurat nahi aur in Ausaaf ke fuyooz se mustagni reh sakta hai, Galiban koi bhi esa Shakhs nahi niklega_,"*
*★_ Aalam Almiyat ki Sift se bana hai yani wo har ek Shay jisme Namudaar hone, Zahoor pakadne, Apni Hasti ko numaya karne aur Apne Vajood ki namdood rakhne ki qabiliyat hai, Wo Lafz Aalam se mosoom hone ki Salahiyat rakhta hai,*
*★_ Ab andaza kar lo us Hasti ka jiska Sabse pyar hai, Jo Sab per Taras khata hai, Jo har ek ka Hamdard Gamgusar hai, Jiski muhabbat aam hai Jo Har ek Muqtaziyaat ( Khwahishat) ko apni Taleem se poora kar sakta hai, Jo har ek Wasawis ko Apne Haqa'iq se Hamdard dost bana sakta hai, Jiske Fuyooz se Maddiyaat v Zehniyaat Tasavvuraat v Tasdiqaat ko Shadaabi v Durusti, Sehat v Sadaqat haasil hoti,*
[7/8, 7:47 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (5)_Baisat E Aamma :- is Khususiyat Ke mutalliq Pehle Likha ja chuka hai, Qara'ien is Unwan ke pichhle Parts me ise mulahiza farmaye'n _,"*
*(6)_ Jawam'a Al Kalam Ka Atiya :- Baaz Ahle Qalam ne "Jawam'a Al Kalam" se muraad Qur'an Majeed ko samjha hai, Kon hai jo Qur'an Majeed ke Jaame hone se inkaar kar sake, Magar Haqeeqat ye hai k is Jagah Wo Kalaam E Qudsi Nizaam Muraad hai, Jise Hadees E Nabvi ﷺ kaha jata hai, Jab Koi Shakhs in Paak Alfaaz per gor karega, Jo Huzoor ﷺ purnoor ke Dil v Zubaan se Goshe Aalamiyan tak pahunche, Use Yaqeen ho jayega k Beshaq ye Kalaam Kalame Nabuwat hai, Mukhtsar, Saada, Saaf, Sachcha'i se bharpoor, Ma'ani Ka khazana, Hidayat Ka Gunjina _,"*
*★_ Is Kitaab ke muta'ddid maqamaat per Ahadees Paak ka indraaj kiya gaya hai, Nazreen ko tadabbur aur Tafakkur ke baad kalame Nabvi ﷺ ki jaamiyat ka haal khul jayega aur ba-khoobi Samajh aa jayega k ye Kalaam Saidq Nizaam matl'a Nabvi ﷺ hi se Jalwagar ho sakta hai, Tabaruukan ek Hadees darj ki jata hai :-*
*★_(1) Khabardaar Bad gumani ko Aadat na banana, Badgumani to bilkul jhooti baat hai, (2) Logo'n ki aib joi na karna, (3) Aur na esi baato ko apne kaan tak pahunchne dena, (4) Badhne ke liye mat jhagadna, (5) Baahami Hasad na karna (6) Baahami Bugz na rakhna, (7) Kisi ki pase Pusht Burayi na karna, (8) Ey Allah ke Bando ! Aapas me Bhai Bhai ho kar rehna Jesa k Tumko Allah ka hukm hai, (9) Muslim Muslim ka Bhai hai, Bhai per na koi zulm kare, (10) na use Ruswa kare na Haqeer jaane, (11) insaan ke liye yahi Burayi bahut zyada hai k Apne Muslim Bhai ko wo Haqeer Samjhe, (12) Muslim Ka khoon, izzat Doosre Muslim per bilkul haraam hai, (13) Allah Ta'ala Tumhari Soorto aur Jismo ko bilkul nahi dekhta, Wo to Tumhare Dilo aur Amalo ko dekhta hai, (14) Dil ki taraf ishara kar ke farmaya Taqwa Yaha'n hai, Taqwa Yaha'n hai, (15) Khabardaar Ek ki Khareed per Doosra Shakhs kharidaar na bane, (16) Allah Ke Bando ! Bhai Bhai Bano, (17) Muslim Per Halaal nahi k Apne Bhai ko Teen Din se Zyada chhode ( Nasa'i Ke Siva Sahah me hai )_,"*
*🗂️_ (Ye Hadees Mukhtalif Ahsees ka majmua hai, Hawala darje zail hai) Bukhari - 2442, 6066, 6077, 6951, Muslim - 25, 28, 58, 2560, 2563, 2564, 2580, Abu Daowd - 4882, 4893,4914, 4917, Tirmizi - 1426, 1927, 1932, Nasaa'i 7291, 9161, ibne maaja -4213,*
[7/9, 7:16 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ (7)_ Khususiyat E Mairaaj :- Mairaaj E Nabvi ﷺ ka zikr is Kitaab me pehle bhi aa chuka hai, Yaad rakhe'n k Mairaaj E Nabi ﷺ un Khususiyat me se hai Jisme Aur koi Nabi v Rasool Huzoor ﷺ ka Saheem ( Shareek ) nahi, Lafz Mairaaj ke ma'ani Urooj hai aur Zeena bhi hai, Chu'nki Urooj Manzil ba Manzil hua tha, Lihaza Waqia Baatini ke liye ye Tashbiya Zaahiri bhi khoob hai _,"*
*★_ Mairaaj Ki Tadaad :- Ulma me se baaz Tadaad ke qaa'il hue Hai'n aur Lafz Asra v Lafz Mairaaj ke ma'ani ka farq batlaya hai aur isiliye unhone un Awqaat ke liye Mukhtalif Saalo aur Mahino ka zikr kiya hai magar Hafiz ibne Kaseer Reh. ne Jo bade muhaqiq hai'n Apni Tafseer me likh diya hai k Tadaad E Mairaaj ka qaul mutlaqan be-sanad hai aur Ahadees Sahih ke mafhoom ke bhi muhhalif hai _,"*
*★_ Mairaaj Ka Zamana :- Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki Rivayat Sahi Bukhari me hai k Ummul Momineen Khadija Raziyallahu Anha ki Wafaat teen saal qabl Az Hijrat thi, Doosri Rivayat hai Tahira Khadija Raziyallahu Anha ki Wafaat Farziyat Namaz Panjgana se peshtar thi, Ye ye hua k Waqia Mairaaj ke baad az wafaat Sayyada Khadija Raziyallahu Anha tha aur us Waqi'e ko Hijrat se Teen Saal Zyada pichhe nahi keh sakte,*
*★_ Zikr E Hijrat ka Agaaz Uqba ki us Awwaleen mulaqaat se hai Jisme Ansar ke sirf 6 Shakhs Huzoor ﷺ se mile they, Shuru ho jata hai, Lihaza Waqia Mairaaj ko Hijrat se qareeb tareen Talluq hai, Zarqani Reh. kehte hai'n k imaam ibne Abdulbar v imaam Abu Muhammad Abdullah bin Muslim aur imaam Navvi ne Mairaaj ke liye Maahe Rajjab Ka Taa'iyn kiya hai,*
*★_ Hafiz Abdul Gani bin Abdul Waahid ne 27 Rajjab ko jumla Aqwaal per Tarjeeh di hai aur likha hai k Hamesha se Amalan isi Tareekh per ittefaq kiya gaya hai _,"*
[7/10, 8:25 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sahi Muslim ki Hadees me Tareeq Saabit An Anas Raziyallahu Anhu me hai :- Mai'n Sawari per Sawaar hua aur Baitul Muqaddas Pahuncha, Sawaari ko usi Halqa se baandh diya Jisse Ambiya Alaihissalam Apni Sawariya'n baandha karte they, Masjid me ja kar maine Do Raka'at Namaz ada ki aur Waha'n se Aasmaan ki taraf Urooj hua _," ( Muslim -411)*
*★_ Ibne Abi Haatim ki ek Rivayat An Yazeed bin Abi Maalik An Anas me Namaz Baitul Muqaddas ke mutalliq ye Sarahat hai k - mere pahunch jane ke baad waha'n bahut se log jama ho gaye, Azaan di gayi aur Aqamat kahi gayi, Safe durust hui, Mai'n intezar me tha k Namaz Kon padhayega, Jibreel Alaihissalam ne mera haath pakda aur mujhe aage khada kar diya, Namaz ke baad Jibreel Alaihissalam ne puchha Aapko maloom hai k Aapke pichhe Kin Logo'n ne Namaz padhi ? Maine kaha nahi, Jibreel Alaihissalam ne kaha - Ye Sab Ambiya hai'n, Jo minjanib Allah mab'ous ho chuke _," ( Tafseer ibne Kaseer -3/189)*
*★_ imaam Ahmad ki Rivayat An Ubaid bin Aadam me Baitul Muqaddas ke mutalliq ye Sarahat hai k, Jab Ameerul Momineen Umar Raziyallahu Anhu Baitul Muqaddas Pahunche, Tab Ka'ab Raziyallahu Anhu se puchha k mujhe Namaz Kaha'n padhni chahiye, Unhone kaha Sakhrah ke pichhe, Ameerul Momineen ne kaha nahi, Mai'n waha'n padhunga Jaha'n Nabi ﷺ ne padhi thi _," ( Musnad Ahmad -1/38, ibne Kaseer)*
[7/12, 7:06 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab Maalik bin Sa'asa Raziyallahu Anhu wali Hadees hi ka Tarjuma pesh karta hu'n, Nabi ﷺ ne farmaya Mai'n Hateem me leta hua tha ( Qatada ne lafz Hateem ki jagah Kahi'n lafz Hajr bhi istemal kiya hai, Dono naam ek hi muqaam ke hai'n, Yani Khaana Kaaba ke andar ki wo Zameen jise Quresh ne baahar chhod diya tha ) Jab aane wala ( Jibreel Alaihissalam) mere paas aaya, Usne Apne Saathi ( Mikaiyl Alaihissalam) se kaha k un teen me se Darmiyan wale Nabi ﷺ hai'n, Fir wo mere Paas aaya, Seena se le kar Zere naaf tak mera jism Shaq kiya gaya, fir sone ka tasht laya gaya jo imaan v Hikmat se pur tha, mere Qalb ko dhoya aur imaan v Hikmat se bhar diya, Fir zakhm durust kar diya _,"*
*★_ Fir mere liye Sawari layi gayi jiska qad Khachchar se kam aur gadha se ou'ncha tha, Uska Qadam uski had Basar tak padta tha, Mujhe Sawaar Kiya gaya, Jibreel Alaihissalam mere saath chala, Aasmaane Duniya tak mujhe le kar pahunch gaya, Darwaza khulwaya, Andar se puchha kon hai ? Kaha Jibreel Alaihissalam, kaha tumhare saath kon hai ? Kaha Muhammad ﷺ, Unhone kaha kya Aapko bulwaya gaya hai ? Jibreel Alaihissalam ne kaha Haa'n, Farishto ne marhaba kaha aur kaha khoob Tashreef laye'n _,"*
*★_ Darwaza khula, Mai'n andar gaya to waha'n Aadam Alaihissalam they, Jibreel Alaihissalam ne kaha ye Tumhare Abba Aadam Alaihissalam hai'n, Salam Kijiye, Maine Salam kiya , Unhone jawab diya aur ibne Saleh v Nabi Saleh farma kar Marhaba bhi kaha _,"*
*★_ Fir Jibreel Alaihissalam doosre Aasmaan tak pahuncha, Darwaz khulwaya ( Wahi Guftgu pehle Aasmaan wali Hui ) Mai'n andar gaya to waha'n Yaahya v Iysaa Alaihissalam they, Ye dono Khaalazaad hai'n, Jibreel Alaihissalam ne bataya k ye Yaahya v Iysaa Alaihissalam hai'n, Salam Kijiye, Maine Salam kiya Unhone jawab diya aur Akh Saleh v Nabi Saleh keh kar Marhaba bhi kaha, Fir Teesre Aasmaan per gaye, ( Wahi Guftgu hui, Darwaza khula) waha'n Yusuf Alaihissalam they, Salam v Jawab ke baad unhone bhi Akh Saleh v Nabi Saleh ke Alfaaz me marhaba kaha _,"*
[7/13, 4:16 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Fir Jibreel Alaihissalam Chothe Aasmaan tak buland hua, Darwaza kholne ko kaha, puchha kon ? Kaha Jibreel Alaihissalam, Puchha tumhare saath kon hai ? Kaha Muhammad ﷺ, Puchha kya bulwaye gaye hai'n? Kaha- Haa'n, Farishto ne marhaba kaha aur mere aane per khushi ka izhaar Kiya , Andar gaye to waha'n Idrees Alaihissalam they, Maine Salam kiya, Unhone jawab diya aur Akh Saleh v Nabi Saleh keh kar Marhaba kaha _,"*
*★_ Isi tarah Paa'nchve Aasmaan wale Farishto ki baat Jibreel Alaihissalam se hui, Mai'n andar gaya, Waha'n Haroon Alaihissalam mile, Salam ka jawab de kar mujhe Akh Saleh v Nabi Saleh ke saath marhaba kaha, isi tarah Chhate Aasmaan per Jibreel Alaihissalam aur Farishto ki Guftgu hui, Mai'n andar gaya to waha'n Moosa Alaihissalam mile, Maine Salam kiya, Unhone jawab diya aur Akh Saleh v Nabi Saleh keh kar Marhaba kaha,*
*★_ Mai'n unse Aage ko chala to Moosa Alaihissalam ro pade, Puchha gaya k Tum kyu roye ? Kaha k ye Nojawan mere baad Nabi hua aur iski Ummat ke log meri ummat se bahut zyada tadaad me jannat me dakhil honge, Fir Saatve Aasmaan per Jibreel Alaihissalam Pahuncha, Farishto se Guftgu hui aur Waha'n maine dekha k Ibrahim Alaihissalam mojood hai'n, maine Salam kiya, Unhone jawab diya aur ibne Saleh v Nabi Saleh keh kar Marhaba kaha_,"*
*★_ Fir mujhe Sidratul Muntaha tak uthaya gaya, iska phal badi chatiyo jesa aur iske patte haathi ke kaan jese bade hai'n, Jibreel Alaihissalam ne bataya k Sidratul Muntaha yahi hai, Waha'n Chaar Nehre dekhi, Do andar behti thi Do khullam khulla, Jibreel ne bataya k andar chalne wale dariya ya to Bahisht ke dariya hai'n aur Khule chalne wale Neel v Faraat _,"*
[7/15, 8:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Fir Saamne Baitul Mamoor Namudaar hua, ( Qatada Jo Raavi hai'n Hadees ke unhone kaha k Hasan Raziyallahu Anhu ne humko Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Unhone Nabi ﷺ se ye bayan kiya tha k Nabi ﷺ ne farmaya k Baitul Mamoor me 70 Hazaar Farishte Rozana Dakhil hote hai'n aur fir lot kar nahi aate, Iske baad Qatada Raziyallahu Anhu ne fir Hadees Anas ki taraf ruju kiya ) Nabi ﷺ ne farmaya - Fir mere saamne Sharab aur Doodh aur Shehad ke bartan pesh kiye gaye, Maine doodh le liya, Jibreel Alaihissalam ne kaha Yahi wo fitrat hai Jis per Aap aur Aapki Ummat hai _,"*
*★_ Fir 50 Namaze Farz ki gayi, Rozana 50 Namaze, Fir Mai'n niche aaya aur Moosa Alaihissalam tak pahuncha to unhone puchha Allah Ta'ala ne Aapki Ummat per kya Farz kiya ? Maine kaha - 50 Namaze Rozana, Moosa Alaihissalam ne kaha Aapki Ummat me iski isteta'at na hogi aur Mai'n isse pehle Logo'n ka imtihaan Kar chuka hu'n aur Bani israa'il ki tadbeer karta raha hu'n, Aap apne Rab ki taraf waapas jaye'n aur Ummat ke liye Takhfeef ka Sawal kare'n _,"*
*★_ Mai'n waapas gaya, 10 Namaze Kam kar di gayi, Maine lot kar yahi Moosa Alaihissalam ko bataya, Wo bole k fir waapas jaye'n aur Takhfeef ka Sawal kare'n, Mai'n waapas gaya aur 10 Namazo ki Takhfeef kar di gayi, maine fir Moosa Alaihissalam ko yahi aa kar bataya, Unhone kaha k fir waapas jaye'n aur Takhfeef ka Sawal kare'n, Mai'n waapas gaya, Jab 10 Namazo ki aur Takhfeef kar di gayi, Unhone fir kaha k waapas jaye'n aur Takhfeef ka Sawal kare'n, Mai'n isi tarah jata raha Hattaki 5 Namazo ka hukm ho gaya aur maine Moosa Alaihissalam ko bataya, Unhone kaha k Aapki Ummat me isteta'at bhi na hogi, Mujhe Logo'n ka khoob Tajurba hai aur Maine Bani israa'il ke liye badi badi tadbeere ki hai'n, Lihaza waapas jaye'n aur Takhfeef ka Sawal kare'n _,"*
*★_ Rasulallah ﷺ ne farmaya k Mai'n Allah Ta'ala se Sawal karta karta Sharmsaar ho gaya hu'n, Ab to Mai'n isko khushi se manunga aur Tasleem karunga, Us Waqt pukarne wale ki ek Awaaz aayi k Maine Apne Farize ko jaari kar diya aur Bando se Takhfeef bhi kar di _,"*
[7/16, 8:23 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Shaikhain Ki Hadees An Anas me Mazeed ye hai k Abuzar Raziyallahu Anhu Nabi ﷺ se yu'n Rivayat karte they k :- Aadam Alaihissalam jab daaye'n jaanib dekhte tab ha'nste aur Jab Baaye'n Jaanib dekhte tab rote, Jibreel Alaihissalam ne Nabi ﷺ ke poochhne per batlaya k Daaye'n jaanib Ahle jannat hai'n aur Baaye'n Jaanib Ahle Naar ( Dozakh ), Daaye'n jaanib dekhte hai'n to ha'ns padte hai'n aur Baaye'n Jaanib ko dekhte hai'n to ro padte hai'n _," ( Bukhari- 3342, Muslim-163/263)*
*★_ Saato Aasmano per Aatho'n Ambiya Alaihissalam ki mulaqaat ka Raaz :-*
*"_ Mukhtalif Aasmano per Alag Alag Ambiya Alaihissalam ki mulaqaat bahut si nasihato per mushtamil hai:-*
*(1)_ Pehli baat to ye hai k Jis Tarah Shahaan Aalam Moazziz Mehman ke ikraam ke liye Apni Sarhad khaas se le kar Darbaar Khaas tak darja ba darja Buzurgwar ( Badi Hasti ) ko muqarrar kiya karte hai'n, is tarah un Ambiya Alaihissalam ka Taa'iyn Awwal Aasmaan se Saatve Aasmaan tak kiya gaya_,"*
*(2)_ Aadam Alaihissalam Abul Bashar hai'n, Awwal Ambiya hai'n, isliye unka Talluq Awaal Aasmaan se ek Khususiyat rakhta hai, Aadam Alaihissalam hai'n Jinko Tarke Jannat ka Alam ( Dukh ) uthana pada, Magar Jab Zameen per aaye to Khilafatul Ardh ka Taaj unke sar per rakha gaya, aur unki Aulaad v Rafqa se Zameen Aabaad ho gayi Tab unka Wo Gam Khushi me Tabdeel ho gaya _,"*
*★_ (3)_ Yahya v Iysaa Alaihissalam me Qarabat bhi hai, Maseeh ne istbaag bhi Yahya Alaihissalam se paya tha, Ahwaale Zuhad v Mehnat me bhi dono muttahid Ahwaal hai, isliye wo dono ek hi muqaam per jama they aur dono ko Nabi ﷺ ke Zuhad v Tawakkul aur Airaaz Duniya ka dikhlana bhi maqsood tha, Yahya Alaihissalam ne Apna kaam Iysaa Maseeh Alaihissalam per chhoda tha aur Iysaa Alaihissalam ne Akmaale Sadaqat aur Atmaame Haqqaniyat ka Huzoor ﷺ ki haatho se poora hona batlaya tha, Lihaza zaroori tha k dono Buzurgwar Apni behtreen Tamannao ko mukammal Shuda Haalat me dekh lete _,"*
[7/17, 8:27 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Yusuf Alaihissalam Ke Ahwaal Mubarak Ko Nabi ﷺ se Kulli Mushabhat hai, Dono Sahibul Jamaal v Al- Kamaal hai'n, Dono ko sakht intihabaat dene pade, Dono me Afu Karam ka wadood hai, Dono ne Apne Jafa Pesha Khandaan walo ki jaan bakhshi farmayi, Dono Sahibul Amr v Hukumat hai'n aur Duniya se poori Kamraani v Hukmrani aur Jaah v Jalaal ke Saath rukhsat hue Hai'n _,"*
*★_ (5)_ Chothe Aasmaan per Idrees Alaihissalam ki mulaqaat hui, Kasrate Dars aur Aur Togul Taleem aur Shagaf Tadrees me Idrees Alaihissalam ka khaas darja hai aur Yahi Kaifiyat Nabi ﷺ ki thi,*
*★_ (6)_ Paa'nchve Aasmaan per Haroon Alaihissalam mile, Haroon Alaihissalam Apni Qaum v Ummat me hardil Azeez aur Mehboob E Quloob they, Haroon Alaihissalam masjid ke imaam they, Haroon Alaihissalam Tafarruqa Baazi ( foot daalne ) ko Sabse bura Samajhte they aur Ye Wo Sifaat Aaliya hai'n Jinke Anwaar Huzoor ﷺ ki Seerat me Waaze v Aashkaar hai'n _,"*
*★_ Chhate Aasmaan per Moosa Alaihissalam ki mulaqaat hui, Ye Sahibe Shari'at bhi hai'n aur Sahibe Kitaab bhi hain, Gaazi v Mujahid hai'n, Muhajir v Manazir bhi, Nabi ﷺ ke saath in Mahasin me mushaba tar hai'n, Inka Rutba un majmui Mahasin ki vajah se Paancho Aasmaan wale Ambiya se bad kar khaas imtiyaz rakhta hai _,"*
[7/19, 8:35 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_(8)_ Saatve Aasmaan per Sayyadna Ibrahim Alaihissalam nazar aaye, Yahi Baani Kaaba Muqaddas Hai'n aur Yahi Kaaba Aasmani ( Baite Mamoor ) ke muhatmim hai'n, Yahi imaam E Khalq hai'n, Khalilur Rahaman hai'n, Nabi ﷺ ne Kaaba ko Arjaas Ausaan se paak kiya, Nabi ﷺ ki marzi ke mutabiq Allah Ta'ala ne Ummate Muhammadiya ke liye Kaaba Ko qibla Namaz banaya, Nabi ﷺ hi ne millate haneefiya ko zinda kiya, Nabi ﷺ hi ne Manasik Hajj ko Sunnat Ibrahimi ke mutabiq muhakkam farmaya, Nabi ﷺ hi ne Darood Paak me Apne naam ke saath Ibrahim Alaihissalam aur unki Aale Paak ke naam ko shamil farmaya, Nabi ﷺ Huliya ke Lihaaz se bhi Sayyadna Ibrahim Alaihissalam se Nihayat mumasil they _,"*
*★"_ Raf'at Huzoor ﷺ ko maqame Ibrahim ( Baite Mamoor) se ouper haasil hui, isse zaahir ho gaya k Huzoor ﷺ hi Maqame Mehmmod wale hai'n_,"*
*★_ Kuchh Shak nahi k Waqia Mairaaj Nabi ﷺ ke maqamaat e Aala se ek bartareen maqaam hai aur is Waqi'e ke zikr me Allah Ta'ala ne Surah Bani israily me bhi aur Surah Najm me bhi Lafze Abd hi ka istemal kiya farmaya hai taki Makhlooq E ilaahi Khoob samajh le aur Achchhi tarah se Zehan Nasheen kar le k is Muqaddas Hasti ke liye bhi Jiski Shaan "Baad Az Khuda Buzurg Toi Qissa Mukhtasar se Aashkaar hai, Sabse Buland Tareen Maqame Abudiyat hi ka hai aur hum sab ko isi Maqame Abudiyat me irtqa ( Ba qadre Qabiliyat v istedaad ) ki hidayat farmayi gayi hai,*
*★_ Allah hi ki ibaadat karo aur usi ke liye Deen ko khaalis karo_," (Al Zumar -2) Beshak Salaat Mairaajul Momineen ( Namaz momin ki Mairaaj hai ) ke maani bhi isi nuqte se hal hote hai'n Kyu'nki izhaar e Abudiyat ke liye Namaz se badh kar aur koi Soorat muhaqiq nahi _,"*
[7/22, 8:26 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Mairaaj- Baidaari mai Ya Khwab mai ?*
*"_ Aur Humne Aapko Jo Khwab dikhaya Wo Logo'n ke Liye ma Sivaye Fitna ke kuchh nahi_," (Surah Bani israa'il -60)*
*"_Baaz Ulma ko is Aayat se ye khayal hua hai k is Aayat ka ishara Mairaaj ki taraf hai, is ishkaal ko imaam Lugat ibne Wajiha Reh. ne hal kiya, Apni Tafseer me Likha hai k is Aayat ka Talluq Badar se hai, Jabki Huzoor ﷺ ne Har Ek Mushrik ke girne ka nishaan v muqaam bhi batla diya tha aur Mushrikeen Huzoor ﷺ ke is irshad ko istehza hi batate rahe ( Ha'nsi udate rahe ) _,*
*★_ Imaam Bukhari Reh ne Ba Rivayat Ikrama An ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ye Alfaaz Tehreer kiye hai'n :- Ye Aa'nkh ka nazara tha Jo Nabi ﷺ ko Mairaaj Ki Raat dikhlaya gaya_,"*
*★_ Mera imaan hai k Nabi ﷺ ka Mairaaj bedaari aur Jism ke saath tha, yahi Aitqaad Aksar Aa'imma Ahle Sunnat Muhasdiseen v Fuqha E Taba'iyn v Sahaba ka hai, Jo Log Waaze Saboot ke baad bhi Mairaaj ko khwab hi Samjha kare'n Wo is Hadees per zara gor kare'n:-*
*"_ Sahi Bukhari v Muslim me Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k jab Mushrikeen ne mere Baitul Muqaddas tak jane ko jhutlaya ( aur Nishanaat poochhne lage ) Tab Mai'n Hateem me Khada ho gaya aur Allah Ta'ala ne Baitul Muqaddas ko mere Saamne kar diya, Mai'n imaarat ko dekhta tha aur jo NiShaan wo poochhte they, Mai'n Unko batata jata tha _," ( Bukhari -4710, Muslim -428, Tirmizi -3132 )*
*★_ Ye Zaahir hai k Agar Huzoor ﷺ ne Waqiaat Mairaaj ko Khwab ke rang me bayan kiya hota to Mushrikeen Baitul Muqaddas ke nishaan pate daryaft karne ka kya haq rakhte they aur Allah Ta'ala ko bhi kya Zarurat thi k Baitul Muqaddas ko Huzoor ﷺ ke Saamne Zaahir v Jalwagar kar de aur Huzoor ﷺ use dekh kar Sab Nishanaat ke Jawabaat bhi dete hai'n, Khwab ke liye to itna hi jawab kaafi tha k Mai'n to Apna khwab bayan kar raha hu'n, Paak hai Wo zaat Jisne Apne Bande ko Apni Aayaate Kubra dikhlaye aur Wara Ul Wara ki Sair karayi _,"*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
[7/23, 7:12 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Mojzaat E Nabviya ﷺ _,*
*"_ Allah Ta'ala ne Apni Makhluqaat ( Gair Maaddi) me jis qadar Khwaas paida kiye hai'n, Un Sabka Ahaata na insaan se ho sakta hai aur na kabhi kisi insaan ne esa Daava kiya hai _,"*
*"_ Allah Ta'ala Apne Barguzida Rasool per Asraar E Kaaynaat Ka inkshaf kar deta hai, Wo keemiyavi Tadbeer jo Qillat ko Kasrat se badal de ya Hawa ko pani bana de, Unke ilm v Tajurba me hoti hai,*
*★_ Hum ye Sab Baate Mojzaat E Ambiya Alaihissalam ko qareeb Ba Faham ke liye keh rahe hai'n, Lekin imaan ki baat ye hai k "Kun Fa Yakun" irshad karne wale ki Taaqat aur Qudrat Ambiya E Allah ki Taa'ied v Nusrat me hoti hai, Aur jab Allah Ta'ala ko ye manzoor hota hai k kisi Muqaddas Hasti ka Barguzida Bargahe Rabbani ka hona Awaam per Saabit kar de Tab isi Taaqat v Qudrat ko Ambiya E Allah ke zariye zaahir farmata rehta hai, isi ko Aayate ilaahi kehte hai'n aur isi ko Mojzaat_,"*
*★_ Sayyadna Maulana Muhammad Rasulallah ﷺ ke jo Mojzaat ba Rivayat Saabit hai'n, Unka Shumar bahut zyada hai aur Har ek Nabi ke Mojzaat se unki tadaad bhi zyada hai aur Unki Shaan bhi Aala hai, Yaha'n hum Chand Mojzaat ka zikr karenge in Sha Allah k Ahle imaan ki Taraqqi E imaan ka mojib ho aur Nabi Kareem ﷺ ki Azmat aur Azmat ke saath muhabbat bhi zyada Dil Nasheen ho jaye _,"*
[7/25, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Muharram 7 Hijri :- Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se Sahih Muslim me ba Sarahat mazkoor hai k Hum Gazwa Zaatul Ruqa aur Waadi Afeeh me the k Nabi ﷺ ne wazu ke liye Pani talab farmaya, Jaabir dhoo'ndh aaye, Lashkar me ek qatra Pani na mila, Fir Huzoor ﷺ ke hukm se Jaabir Raziyallahu Anhu us Ansari ke paas pahunche Jo Huzoor ﷺ ke pine ka pani rakha karte the,*
*★_ Waha'n bhi dekha to ek purani mashk ke dahane per ek qatra Aab nazar aaya aur Fir hukm diya k wohi le aao, Fir Kaath ka Katehra mangwaya gaya, Nabi ﷺ ne usme Apna Haath ungliya'n faila kar rakh diya, Jaabir Raziyallahu Anhu ne hukm ke mutabiq "Bismillah" keh kar wo qatra Aab daste Mubarak per daal diya, Jaabi Raziyallahu Anhu ki Shahadat hai k Sab ungliyo'n me se pani fawaara nikla, Pani ne lakdi ke katehre ko bhi chakkar de diya, Sabko bulaya gaya aur Sabne sairaabi haasil ki, Jab Huzoor ﷺ ne haath utha liya tab bhi wo katehra Pani se bhara hua tha _,"*
*( Muslim -74/1203 )*
*★_ is gazwe me Chaar So (400) Sahaba Raziyallahu Anhum Aap ﷺ ke saath they,*
[7/28, 7:07 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Zi Qa'ada 6 Hijri:- Sahi Bukhari me Abdullah Saheed Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Hudebiya me Nabi ﷺ ne wazu kiya, Pani ek koze me tha, Musalman use dekh kar toot pade, Nabi ﷺ ne puchha kya ? Logo'n ne kaha k Pani na wazu ke liye hai, na pine ke liye, Bas yahi Koza Aab hai Jo Huzoor ﷺ ke saamne rakha hai,*
*★_Huzoor ﷺ ne usi Koze me haath rakh diya, Tab Pani Huzoor ﷺ ki ungliyo'n me se foot pada aur Tamaam Lashkar Sairaab ho gaya, Sabne wazu bhi kar liye, Jaabir Raziyallahu Anhu ne Saalim ibne Abi Juhad ke sawal per batlaya k us waqt hum 1500 they, Ye bhi kaha k Agar ek Laakh bhi hote tab bhi wo pani sabko Kifayat kar jata _,"*
*( Bukhari - 169, 3575)*
*★_ Muqame Hudebiya hi ka doosra Waqia bhi Jaabir Raziyallahu Anhu ne bayan kiya hai Jo Sahi Bukhari me mojood hai, Chu'nki Hudebiya me Huzoor ﷺ ka qayaam ek Hafta tak raha tha aur Pehla waqia pehle Roz ka hai, iske baad pani ki fir Zarurat pesh aayi, Tab Nabi ﷺ us chaah per Tashreef le gaye jiska naam Hudebiya tha aur ye muqam usi chaah ke naam se maroof tha, Chaah ka pani Khushk ho chuka tha,*
*★_ Bukhari ki Rivayat me hai, _ "Yani Nabi ﷺ chaah ki munder per aa bethe Pani mangaya, Kulli ki aur chaah me daal di, Fir thodi der ke baad hum chaah se pani lene lage aur Sairaab hue _,"*
*( Bukhari -3577, 4151, 4150)*
*★_ 1500 ke Lashkar ke liye mustaqil intezam tha, Imaam Bukhari ne is waqi'e ko Bar'a Raziyallahu Anhu se bhi Rivayat kiya hai, Imaam Ahmad Reh. ki Rivayat se Zahir hai k Chaah ka pani ubal pada, Humse Aakhri Shakhs chaadar le kar bhaaga k Kahi'n doob na jaye aur Fir ye Pani beh nikla _,"*
*( Musnad Ahmad- 18111, 18148, Majmua Az Zawa'id- 14105)*
[7/30, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 9 Hijri :- Imran bin Husain Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k hum Safar ( Tabook ) me they, Subeh ki Namaz din chadhe padhi gayi kyunki sab sote reh gaye, Mujhe Nabi ﷺ ne aage aage chalne ka hukm diya humko sakht pyaas lagi, Raah chalte hue Hume ek Aurat mili Jiske Saath pani ke Do Mashkize they, usse maloom hua k Pani us gaa'nv se ek Din ek Raat ki musafat per hai _,"*
*★_ Sahaba Us Aurat ko Nabi ﷺ ke paas le gaye, Waha'n Aurat ne ye bhi kaha k Wo Yateemo Ki Maa'n hai, Nabi ﷺ ne uske Mashkize ko haath se chhoo diya, Pani beh nikla, 40 Sahaba ne Jo Sakht pyase they Sair ho kar pani pi liya aur Mashk Mashkize jitne saath they Wo bhi bhar liye,*
*★_ Ou'nto ko wo pani nahi pilaya, Imran bin Husain Raziyallahu Anhu kehte hai'n k us waqt wo Mashkize Pani se ese bhare dekhe jate they goya ab foot padenge,*
*★_ Us Aurat ne ghar ja kar Logo'n se kaha k Mai'n Sabse bade Jadugar se mil kar aayi hu'n Ya use Nabi kehna chahiye, Jesa k Uske Saathiyo ka Yaqeen hai, Us Aurat ki is ittela per ye log bhi musalman ho gaye aur Wo bhi islam le aaye _,"*
*( Bukhari - 344, 3571)*
[7/31, 8:16 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sahi Bukhari me Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k ek baar Namaz ka waqt aa gaya, Jin Logo'n ke ghar qareeb they Wo gharo me ja kar Wazu kar aaye, Jo baqi reh gaye Nabi ﷺ ke liye patthar ke Pyale me pani laya gaya, Wo itna Chhota tha k usme Nabi ﷺ ka poora haath na fail sakta tha, Usi Pani se 80 se Zyada Logo'n ne Wazu kiya _," ( Bukhari-200, Muslim - 5941)*
*★_ Bahyqi ki Rivayat hai k Nabi ﷺ ne us Pyale me Apni 4 Ungliya'n daali thi, Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Maine us waqt dekha k Ungliyo'n se pani foot kar nikal raha hai, Ye Waqi'a Maqame Quba ka hai _," (Tirmizi - 3631, Nasa'i - 76)*
*★_ Sahi Bukhari me ek Rivayat ibne Masoud Raziyallahu Anhu ki bhi esi hi hai k Huzoor ﷺ ne Bartan me haath rakh diya aur pani Huzoor ﷺ ke haatho se foot nikla, ibne Masoud Raziyallahu Anhu kehte hai'n k us Pani se sab hi ne wazu kar liya tha_," ( Bukhari-3579)*
*★_ Ese hi Waqiaat aur bhi hai'n aur Rivayaat ki Khususiyato per gor karne se Waaze ho jata hai k Angushtan Mubarak se pani foot padne ke Waqiaat baar baar hue Hai'n, Ba Kasrat hue Hai'n, Nabi ﷺ ke in Mojzaat aur us Khususiyat lasaani ki khabar per bhi Ambiya Alaihissalam ke Mubarak Kalamo me de di gayi thi,*
[8/1, 8:25 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Doodh Ki Barkat:-*
*"_ Pani ke baad Jis cheez ka darja hai Wo Doodh hai, Shabe Mairaaj ki Hadees me hai k Nabi ﷺ ke Saamne Doodh aur Sharaab ke Pyale Aasmaan per pesh kiye gaye aur Huzoor ﷺ ne unme se Doodh ko pasand farmaya aur Jibreel E Ameen Alaihissalam ye nazara dekh kar kaha- Huzoor ﷺ ne Fitrat ko Pasand kiya, isiliye islam ko bhi Doodh ke Saath Tashbeeh di jata karti hai_," ( Bukhari-3207, Muslim- 162)*
*★_ Insaan Ka Har ek Bachcha Doodh se pala hai, Magar Ek Bachcha bhi Duniya me esa nahi Jiski Raza'at Sharaab se ho, isse Saabit ho jata hai k Doodh Fitrate insaani ka Raazdaar hai, Daa'i E imaan v Haadi E islam ne Apni Ummat ko Paak Taleem ke Doodh se bhi Parwarish kiya aur Unke Labo Kaam ko Mojzana Doodh se bhi zoq E Aashna banaya, Ese Waqiaat bahut hai'n _,"*
*★_ Imaam Bukhari Reh ne Ek baab baandha hai k Nabi ﷺ aur Huzoor ﷺ ke Ashaab Raziyallahu Anhum ki guzraan ka kya haal tha ? Is baab me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ki Hadees bayan ki hai, Jo Mojzaat E Nabvi ﷺ ki bhi Mazhar hai aur ye Haqeeqat bhi Zaahir karti hai k Sarware Kaynaat v Fakhre Mojudaat ﷺ ki Hayate Tayyaba is Duniya me Kesi Jaahidana thi _,"*
[8/2, 8:24 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k bhook ke maare kabhi esa hota k jigar ko thaam kar zameen per gir jata, Kabhi esa hota k pet per patthar baandh leta, Ek Din esa hua k Mai'n sare Raah aa betha Jaha'n se log aaya jaya karte they, Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu aaye aur Maine unse Qur'an Paak ki ek Aayat ki baabat daryaft kiya, Mera matlab ye tha k Shayad wo mujhe kuchh khila bhi denge, Wo Yu'nhi chale gaye _,"*
*★_ Fir Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aa nikle, unse bhi ek Aayat ka matlab puchha, garz wohi thi k kuchh khane ko denge, Wo bhi Yu'nhi chale gaye, itne me Abul Qasim ﷺ Tashreef laye, mujhe dekh kar Tabassum farmaya, Mere Jee ki baat samajh gaye, Mere Chehre Ko taad liya, irshad farmaya-Abu Huraira Raziyallahu Anhu saath saath chale aao, Mai'n pichhe pichhe ho liya _,"*
*★_ Huzoor ﷺ ghar me gaye, Waha'n Huzoor ﷺ ne Pyale me doodh dekha, Ghar Walo ne Huzoor ﷺ ko us Shakhs ka naam bataya jisne doodh Hadiya bheja tha, Huzoor ﷺ ne mujhe farmaya - Abu Huraira Raziyallahu Anhu jao Ahle Suffa ko bula lao, Ahle Suffa wo log hote they Jinka koi Ghar baar na hota tha, Jinko kisi Shakhs ka koi Sahara na hota, islam ke mehman hote, Nabi ﷺ ki Seerat Paak ye thi k koi sadqa aata to Sabka sab unko de dete they aur Hadiya aata to unko Apne Saath Shamil farma lete they _,"*
*★_ Abu Huraira Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Maine Samjha Ahle Suffa me is doodh ki Haqeeqat kya hogi, Agar Mujhe hi mil jata mujhme kuchh sakt aa jati, Ab dekhiye isme kuchh milta bhi hai ya nahi, Yahi Halaat they aur ita'at ila aur Rasool ke bager koi chara kaar na tha, Mai'n sabko bula laya, Aa kar beth gaye, Mujhe Rasulallah ﷺ ne farmaya - Abu Huraira Raziyallahu Anhu ye pyala lo aur sabko pilao,*
*★_ Maine Pyala le liya, Har ek ko deta jata tha, Jab Ek Shakhs pi pi kar Sairaab ho jata tab doosre ko wohi pyala deta tha, isi tarah sab sair ho gaye, To maine aakhir me Nabi ﷺ ke Saamne pyala pesh kar diya, Huzoor ﷺ ne le kar use daste Mubarak per rakh liya, Mujhe dekha aur Muskuraye aur Farmaya- Abu Huraira Raziyallahu Anhu Ab to Mai'n reh gaya ya Tu reh gaya, Maine Kaha Huzoor ﷺ sach hai, Farmaya- Achcha ab tu pi le, Mai'n beth gaya aur maine doodh pi liya, Farmaya- aur piyo, Maine aur Piya, Fir Huzoor ﷺ yahi farmate rahe- Piyo, Piyo, Aakhir maine arz kiya - Qasam hai us zaat ki jisne Huzoor ﷺ ko Haq ke saath bheja hai k Ab To gunzaish bilkul nahi rahi, Farmaya - Lao, Pyala maine pesh kar diya, Huzoor ﷺ ne Allah ka Shukr kiya, Bismillah padhi aur Pyala khatm kar diya _,"*
*( Bukhari - 6452)*
[8/4, 10:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Safare Hijrat me Nabi ﷺ ka guzar Umme Ma'abad Aatika binte Khalid bin Khuled Khuzaya ke Khaime per hua, Ye Aurat Umar Rashida thi aur Khaima ke saamne bethi rehti, Aane Jane walo ko pani pilati, Khajoore Wagera farokht kar liya karti thi,*
*★_ Us Waqt Nabi ﷺ ke saath Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu bhi they, Jo Huzoor ﷺ ke saath Pichhli Nashist per Sawaar they, Doosri Sawari per Aamir bin Fujer Raziyallahu Anhu they Ya ibne Ariqat Raziyallahu Anhu they, Jo us Raah ke Waaqif they aur Ujrat per Saath le liye gaye they, Ye Mubarak Qafila Us Khaime per Sustane Araam lene ke liye thehar gaya,*
*★_ Budhiya se puchha gaya k uske paas kuchh khane pine ko bhi hai, Wo boli nahi, Agar Kuchh hota to Mai'n khud pesh kar deti, ( in Ayyam me qahat bhi sakht pada hua tha)*
*★_ Umme Ma'abad ke Bhai Jaish bin Khalid ( Qateelul Bat'ha) ka bayan hai k Khaime me ek Dubli Kamzor Bakri khadi thi, Nabi ﷺ ne us Bakri ki baabat puchha, Umme Ma'abad ne jawab diya k Ye Kamzor bahut hai, Rewad ke saath nahi chal sakti, isliye Yaha'n reh gayi, Nabi ﷺ ne kaha k Agar ijazat ho to hum use doh le'n, Wo boli Agar Aapko doodh nazar aata hai to doh lijiye,*
*★_ Nabi ﷺ ne farmaya ek bada bartan lao, Fir Bismillah keh kar Bakri se doodh nikaalna shuru kiya, Bartan bhar gaya to sabko pilaya, Dobara doodh nikaala, Bartan bhar gaya to dobara fir sabko pilaya gaya, Aakhir Nabi ﷺ ne Piya, Teesri baar fir doodh nikaala aur ghar walo ke liye chhod diya gaya _,"*
[8/6, 6:21 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Takseer E Ta'am :- isse muraad wo Mojza hai K Thoda sa Khane Ka Samaan bahut ke liye kaafi ho jaye, Injeel ke muta'ala se Zahir hua k is Mojza ka Zahoor Maseeh Alaihissalam se bhi hua, Unhone 4 Rotiyo'n aur 3 Machhliyo'n se bahut badi Jama'at ko Sair kiya, Nabi ﷺ ki Ayaate Nabuwat me bhi ese Waqiaat ka zikr Ahadees E Sahih me Ba Kasrat hai _,"*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Waqia Khandaq Ke Ayyam me maine dekha k Nabi ﷺ ne Pet ko baa'ndh rakha hai, Maloom hua k Nabi ﷺ ne Bhook ki vajah se esa Kiya hai, isi Haalat me Huzoor ﷺ Ahle Suffa ko Surah Nisa ki Taleem de rahe they,*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu ne Apne Baap ko batlaya, Unhone kuchh mazdoori ki aur Jo haasil kiye, Unki Walida ne Adh sair Jo pees liye, Roti Pakayi k Nabi ﷺ Akele Tashreef le aaye'n to Ba -khoobi sair ho sakte hai'n, Ek Aadh koi saath aa gaya tab bhi kifayat se kaam chal jayega,*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu ko Maa'n Baap ne bheja, Achchhi tarah Samjha diya k Logo'n ke Saamne kuchh na kehna, Jab Huzoor ﷺ uth kar Andar jane lage tab Arz kar dena k Hamare yaha'n Tashreef le chale'n_,"*
[8/6, 6:21 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Anas Raziyallahu Anhu Pahu'nche to Nabi ﷺ Nabwa ke andar bethe hue they, Farmaya Tujhe Abu Talha Raziyallahu Anhu ne bheja hai, Arz kiya - Haa'n, Farmaya- Khane ke liye, Arz kiya - Haa'n, Nabi ﷺ ne farmaya:- Logo'n! chalo Abu Talha Raziyallahu Anhu ke ghar, Sab Uth khade hue,*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu ne lapak kar Baap ko ittela di, Unhone Bivi se kaha k Umme Sulem ! Rasulallah ﷺ to poori Jama'at ke saath aa rahe hai'n, Ye Khatoon buland paya Samajh gayi k Kya hoga, Boli Allah aur Uska Rasool (behtar) jaanta hai'n,*
*★_ Nabi ﷺ ko Abu Talha ne Aage bad kar batla bhi diya k Ek Tikiya mojood hai, Huzoor ﷺ ne waha'n Pahu'nch kar farmaya k ghee ki kachi le aao, Kachi se Chand katre ghee ke nikle, Nabi ﷺ ne Ungusht Mubarak se Roti Chupad di, Roti foolne lagi, Bartan se Ou'nchi ho gayi,*
*★_ Nabi ﷺ ne Mardana Makaan khulwaya, Roti rakh di aur Zubaan se farmaya - "Bismillahi Allahumma A'azim feeha Barkata",*
*"_ Das Das Aadmi Roti per bethte jate aur Sair ho kar uthte jate they, Isi tarah 80 Shakso ne Roz khana khaya _,"*
[8/7, 6:37 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Walid Gazwa Uhad me Shaheed ho gaye they aur Bhaari Qarz chhod gaye they, Jab Khajoor Ki Fasl aayi, Maine Rasulallah ﷺ se arz kiya k Huzoor ﷺ chale'n taki Qarz khwah Huzoor ﷺ ko dekh kar mujhse Ri'ayat kare'n,*
*★_ Farmaya-Tum chalo, Har qism ki Khajooro ki dheriya'n Alag Alag laga do, Maine Tameel kar di, itne me Sarware Aalam ﷺ aa gaye, Huzoor ﷺ ne bade Dher ko Teen baar fir kar dekha aur iske baad wahi'n beth gaye,*
*★_ Farmaya- Qarz khwaho ko bulao, Wo Aa gaye to Har ek ko Naap Naap kar Huzoor ﷺ ne Khajoore Deni shuru ki, Hattaki Sab Qarzdaar nipat gaye aur dhed mujhe Jo ka To Nazar aata tha, Goya ek daana bhi usme se kam nahi hua_,"*
*"_ Mai'n To itne per hi khush tha k Saari Paidawaar Qarz khwah le le'n aur mujhe ghar le jane ko ek khajoor bhi na mile _,"*
*®_ Bukhari - 2127, 4053,*
*★_ Sahiheen me Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Sab Qarzdaaro ko chuka dene ke baad fir Ek Yahoodi bhi aa gaya, Uska Qarz 30 wask khajoor ka tha, Nabi ﷺ ne farmaya k Jo Dheriya'n baqi hai'n Unhe Yahoodi le le, Yahoodi ne inkaar kar diya,*
*★_ Nabi ﷺ ek baar un Dheriyo'n me se guzar gaye, Fir hukm diya k Yahoodi ko Naap kar do, Chunache uske 30 wasq poore ho gaye aur 17 wasq abhi aur bhi baqi reh gaye, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne farmaya k Jab Huzoor ﷺ Dheriyo'n me se nikle they Mai'n tab hi samajh gaya k Allah Ta'ala inme Barkat daal dega _,"*
*®_ Bukhari - 2127, 2396,*
*❀__ Sahi Muslim me hai k Umme Maalik ke ghar ek kuppi ghee ki thi, Wo usme se Nabi ﷺ ke liye ghee nikaal nikaal kar bheja karti thi, Uske Bachche jab Saalan maa'ngte aur Saalan na hota to us Kuppi me se ghee nikaal kar unko diya karti, To yahi Tareeq jaari raha, Ek Roz Umme Maalik ne us Kuppi ko nichod liya, Uske baad usme se Kabhi na nikla, Yani Rasulallah ﷺ ne farmaya Agar Tum Nichod na leti to usme se hamesha ghee paya jata _,"*
*★_ Ibne Abi Shayba aur Ahmad aur Tabrani aur ibne Sa'ad ne Khabbab Raziyallahu Anhu ki Beti se Rivayat kiya hai k Unke waalid Allah ke Raaste me chale gaye, Nabi ﷺ unke ghar aate aur Bakri ka doodh doh jate, Ghar ka Sabse bada bartan doodh se bhar jata, Jab Khabbab Raziyallahu Anhu waapas aa gaye, Unhone Doodh nikala to utna hi nikla jitna pehle us Bakri ka hua karta tha, ( Ibne Kaseer- 2/112, Dala'il Al-Nabuwat v Bahyqi -6/136)*
*★_ Sahi Bukhari me Abdurrahman bin Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai k ek Safar me 30 Afraad Nabi ﷺ ke hamraah they, Jab Manzil per utre to Huzoor ﷺ ne puchha k kisi ke paas kuchh khane ko bhi hai, Ek Sahabi ke paas qariban do sair aata tha, Wo goondh liya, Fir ek Shakhs Rewad liye hue waha'n Pahu'ncha, Usse ek Bakri khareed li, Bakri ka Kaleji aag per bhoon li gayi aur sab Hazireen ko Taqseem kar di gayi, iske Baad wohi Kaleji do bartani me daali gayi, Sabne use sair ho kar khaya, fir bhi wo khatm na hui to use humne Ou'nt per rakh diya _," ( Bukhari - 2216, 5382)*
: *★_ Nabataat Per Asar:- Jab Madina Munavvara me Masjide Nabvi ki Yameer ki gayi to Shuru Shuru me koi mimbar na tha, Nabi ﷺ khutba ke waqt Khajoor Ke Khushk Tane ke saath tek laga kar khade ho jaya karte they,*
*★_ Kuchh Arse baad Tameem Daari Raziyallahu Anhu ne Nabi ﷺ ki ijazat se Ek mimbar Tayyar Kara liya, Wo Teen Zeena ka tha, Yani Do Zeene aur Teesri Nashisht ki jagah,*
*★_ Sahi Bukhari me hai k Jab pehli dafa Nabi ﷺ ne Mimbar per khutba shuru farmaya aur Khajoor ka Tana Huzoor ﷺ ke Tek lagane ki izzat se mehroom reh gaya, Tab usse Awaaz girya aani shuru hui,*
*★_ Ibne Umar Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Wo Bachcho ki tarah chillaya, aur Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu ki Rivayat me hai k Das Maah Haamla Ou'ntni ki si Awaaz humne uski suni, Nabi ﷺ mimbar se utre, Us per daste Shafqat rakha To Wo chup kar gaya,*
*( Bukhari - 918, 2095, 3584, 3585)*
*★_ Sahi Bukhari ki Rivayat me hai k fir Nabi ﷺ ne use mimbar ke barabar dafan Kara diya _,"*
[8/16, 5:57 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Haiwanaat Per Asar :- Muslim me Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Mai'n ek Gazwa me Nabi ﷺ ke hum Rakaab gaya tha, Mera Ou'nt pichhe reh gaya tha aur chal na sakta tha,*
*★_ Nabi ﷺ ne mujhe Raah me mil gaye, Puchha Ou'nt ko kya hai ? Maine kaha - bimaar hai, Nabi ﷺ ne Ou'nt ko daa'nta aur Dua bhi farmayi, Wo sabse aage chalne laga, Huzoor ﷺ ne fir mujhse puchha to maine arz kiya k Ab wo Achcha hai aur use Huzoor ﷺ ki Barkat ka hissa mil gaya hai _,"*
*®_(Bukhari - 2097, Muslim -1089, ibne Hibaan -7143, Nasa'i - 7/299)*
*★_ Hazrat Safina Raziyallahu Anhu se jo Huzoor ﷺ ke Azaad Karda Gulaam they Rivayat hai k Unhone Bahri Safar kiya, Kasti toot gayi aur ek Takhte per behte hue ek Saahil per pahu'nch gaye, Jiske Saath jungle tha, Usme Sher they, Ek Sher meri taraf aaya, maine kaha - O Sher ! Mai'n Rasulallah ﷺ ka Gulaam hu'n, Sher Dum hilane laga aur mere barabar barabar chalta hua mujhe Raaste per daal gaya, Jab Mai'n usse alag hua to wo dahadta tha goya mujhe rukhsat kar raha tha _" ( Bahyqi -6/46, Mustadrak Haakim - 3/606)*
[8/16, 6:12 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aflaak per Asar aur Shaq E Qamar :-*
*"_ Nabi ﷺ ke Ash'har Mojzaat me se Shaq E Qamar ka Mojza hai, Mushrikeen ne Ulma E Yahood se daryaft kiya tha k Humko Muhammad ﷺ se unki Sadaqat ka kya NiShan talab karna chahiye, Unhone kaha k Sahar ka Asar sirf Zameen tak mehdood hai, Tum kaho k Chaand ke do tukde kar ke dikha do, Ummeed hai k Muhammad ﷺ kuchh na dikha sakenge, Unhi Ki sikhlawat se Mushrikeen ne Shaq E Qamar ka Sawal kiya tha _," ( Muslim - 2802, Ahmad- 3/163, Tirmizi - 3286)*
*★_ Sahiheen me ibne Masoud Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai:- Rasulallah ﷺ ke Ahad Mubarak me Chaand do Tukde ho gaya, Ek Tukda pahaad ke idhar aur doosra usse niche tha, Rasulallah ﷺ ne farmaya - dekho, Gawah rehna ( k Maine Mushrikeen ko ye Nishan dikha diya hai) _," ( Bukhari - 3636, 3869 Muslim - 7072)*
*★_ Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ki Rivayat se Sahiheen me hai :- Ahle Makka ( Mushrikeen) ne Nabi ﷺ se Darkhwast ki thi k Unko koi bada nishaan dikhaya Jaye, Nabi ﷺ ne unhe Chaand ka fatna dikhlaya, uske do tukde they, Kohe Hira un dono ke darmiyan tha _," ( Bukhari - 3637, 3868, Muslim - 7076, 7077)*
[8/21, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ahad E mustaqbil ka ilm kisi insaan ko haasil nahi, "kisi Shakhs ko bhi ye bata nahi k Aane wale kal ko wo kya karega _," ( Surah Luqman -34)*
*"_Ilme gaib ka maalik sirf Rabbul Aalameen hai ( Surah Kahaf -26),*
*★_ Rabbul Aalameen hi Apne guzidah Ambiya aur Rasool per ilm E Gaib ka us qadar hissa Zaahir farmata raha hai Jiski unko zarurat Hui ya Jiski Zarurat unki Sadaqat v Risalat ka Yaqeen dilane ke liye payi gayi,*.
*"_ Wo gaib kisi per Zaahir nahi karta magar jis Rasool se Wo khush ho _,"( Surah Jinn - 26-27)*
*★_ Siddiq bint Siddiq Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Sahiheen me marvi hai k Nuzool Wahi se pehle Huzoor ﷺ per ruya e Sadiqa ( Sachhe Khwab) ka baab khola gaya tha, Huzoor ﷺ purnoor jo kuchh khwab me dekh lete, bedaari me wo Waqi'a usi tarah zahoor pazeer hota _," ( Bukhari -3, 4953, Muslim - 403, 405)*
*★_ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke Khwab ka zikr Qur'an Majeed me hai, Allah Ta'ala ne Nabi Kareem ﷺ ke ek khwab ka zikr Surah Fateh Aayat - 27 me farmaya :- "Allah ne Apne Rasool ﷺ ke us khwab ko poori Haqqaniyat ke saath poora kar diya k Tum in Sha Allah Ka'aba me dakhil honge, Us Waqt baaz Musalmano ne sar mundwaye hue honge aur baaz ne baal katwaye hue _,"*
[8/23, 10:48 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Ek Roz Nabi ﷺ khade hue aur Huzoor ﷺ ne har ek baat jo Qayamat tak hone wali thi bayan farma di, Jise Yaad hai Use yaad hai, Jo bhool gaya wo bhool gaya, mere saamne bhi jab wo esa Waqia aa jata hai jo Mai'n bhool chuka tha Use dekhte hi Samajh jata hu'n, Jesa hum kisi Shakhs ko bhool jaya karte hai'n aur fir Uska Moo'nh dekh kar use pehchan liya karte hai'n_," ( Bukhari - 6604, Muslim - 7262, Abu Douwd- 4240)*
*★_ Sahi Muslim me Abuzar Raziyallahu Anhu se Rivayate baala ke mutalliq ye mazeed sarahat hai k Huzoor ﷺ ne Namaze Fajar ke baad Namaze Zuhar tak khutba farmaya, Namaz padh kar fir khutba shuru kar diya, Guroob Shams tak yahi hota raha, is khutbe me Waqiaat Ta Qayamat ka zikr tha, Jise wo khutba Zyada mehfooz reh gaya hai Wo humme se zyada Aalim hai_," ( Muslim - 2892)*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Ek Roz Nabi ﷺ ne Umme Haraam Raziyallahu Anha ke ghar Araam farmaya, Jab bedaar hue to Huzoor ﷺ Ha'ns rahe they, Umme Haraam Raziyallahu Anha ne vajah puchhi, farmaya - Mujhe meri ummat ke wo Gaazi dikhlaye gaye Jo Samandar me jihaad ke liye Safar karenge, Wo Apne Jahazo per ese bethe honge jese Malook Apne Takht per Nashist karte hai'n,*
*★_ Umme Haraam Raziyallahu Anha ne arz ki mere liye bhi Dua farmaye'n k Allah Ta'ala mujhe unme Shamil farmaye, Huzoor ﷺ ne Dua farma di aur fir let gaye, Fir ha'nste hue bedaar hue, farmaya mujhe meri ummat ke doosre Gaazi Jahazo per Sawaar ho kar jihaad karne wale dikhlaye gaye, Umme Haraam Raziyallahu Anha ne kaha - Dua farmaye'n k Allah Ta'ala mujhe bhi unke shamil farmaye, Farmaya-nahi , Tu pehle Logo'n me se hai,*
*"_ Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu ke zamane me jab Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu Bahri Jihaad ko gaye to ye Umme Haraam Raziyallahu Anha bhi Apne Shohar ke Saath gayi'n, waapsi ke waqt Umme Haraam Raziyallahu Anha ke liye Sawari layi gayi, Wo Sawaar hone lagi to Jaanwar ne laat maari aur unka Wahi'n inteqal ho gaya_," (Bukhari - 2788, Ahmad - 6/423)*
[8/26, 10:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Pesh Goi:-*
*"_ Sahi Bukhari me Adi bin Haatim Taa'i Raziyallahu Anhu ki Rivayat hai k Mai'n Nabi ﷺ ke Huzoor me betha tha k Ek Shakhs aaya aur usne Faaqa ki shikayat ki, Nabi ﷺ ne farmaya k - Ey Adi Raziyallahu Anhu! Agar Tumhari Umr lambi hui to tum dekh loge k ek Budhiya Heera se Akeli chalegi aur Khana Kaaba ka Tawaaf karegi, Wo Allah ke Siva aur kisi se na darti hogi _,"*
*★_ Maine Apne Dil me kaha k Tay ke Daket kidhar chale jayenge, Jinhone Tamaam Bastiyo'n Ko ujaad rakha hai,*
*"_ Fir Farmaya- Agar Teri Umr lambi hui to tum Kisra ke khazano ko ja khologe_", Maine puchha - Kya Kisra bin Hurmuz ? Haa'n Kisra bin Hurmuz_,"*
*★_ Fir farmaya - Agar teri Umr lambi hui to tu dekh lega k Ek Shakhs Zakaat ka Sona aur Chaa'ndi liye hue Firega aur use koi na milega Jo Zakaat ka paisa lene wala ho _,"*
*★_ Adi Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Maine esi Budhiya ko Hajj karte dekh liya Jo Koofa se Akeli Hajj ko aati thi aur Allah Ta'ala ke Siva use kisi ka khof na tha aur Khaza'in E Kisra ki Fateh me to Mai'n bhi Shamil tha, Teesri baat bhi Tum Ey Logo'n ! dekh loge _," ( Bukhari- 3595, 1413)*
*★_ Imaam Bahyqi kehte hai'n k Umar bin Abdul Aziz Reh. Ki Saltnat me Teesri baat bhi poori ho gayi k Zakaat dene wale ko talash se bhi koi faqeer na milta tha aur Wo Apna maal ghar waapas le jaya karta tha _,"*
[8/26, 10:07 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Khandaq Khodte hue ek Bahut bada aur bahut Sakht patthar nikal aaya, Jis per Kudaal ka asar na hota tha, Humne Nabi ﷺ se ye haal arz kiya, Huzoor ﷺ ne patthar ko dekha, Kudaal ko haath me liya aur Bismillah keh kar Zarb lagayi, Ek Tihaa'i patthar toot gaya_,"*
*★_ Us Waqt Huzoor ﷺ ne farmaya - Mujhe Mulk Faaras ki kunjiya'n ata ki gayi'n aur Mai'n is waqt Mada'in ke Safed Mahal ko dekh raha hu'n,*
*★_ Fir doosri Zarb lagayi aur Ek Tihaa'i patthar fir toot gaya, fir farmaya - Mujhe Mujhe Mulk Shaam ke Khazano ki kunjiya'n ata ki gayi'n, Wallah maine Waha'n ke Surkh Surkh Nahallat ko abhi dekh liya hai_,"*
*★_ Fir Teesri Zarb lagayi aur Saara Patthar chakna choor kar diya aur Farmaya- Mujhe Mulk Yaman ki Kunjiya'n ata ki gayi'n, Wallah ! Mai'n Yaha'n se is Waqt Shehar San'a ke Darwazo ko dekh raha hu'n _,"*
*®_ Sunan Nasa'i -3176, Abu Douwd- 4302, Dala'il Al-Nabuwat Al Bahyqi - 3/421, ibne Hisham - 3/173,*
*★_ Ye Pesh Goi us waqt farmayi thi Jab Madina per Mushrikeen Hamla Aawar ho rahe they aur unse bachaav ke liye Shehar ke ird gird Khandaq khodi ja rahi thi, Ese Zof ki haalat me itne mumalik ki Futuhaat ki ittela dena Allah ke Nabi hi ka kaam hai Jise Allah Ta'ala ne Harf ba Harf poora farmaya _,"*
[8/27, 6:29 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Fateh Misr ki Pesh Goi:-*
*"_ Nabi ﷺ ne farmaya - Tum Anqareeb us Mulk ko Fateh kar loge Jaha'n Sikka Qiraat hai, Tum waha'n ke Logo'n se bhala'i karna kyunki unko Zimma aur Raham ke Huqooq haasil hai'n,*
*★_ ( Fir Abuzar Raziyallahu Anhu se farmaya ) Jab Tum dekhoge k Do Shakhs ek Ei'nt barabar ki zameen per Jhagad rahe hai'n Tab Waha'n se chale aana _,"*
*★_ Abuzar Raziyallahu Anhu ne Fateh Misr ko bhi dekha aur bodah baash bhi Akhtyar ki aur ye bhi dekha k ( Rabi'a aur Abdurrahman bin Sharahbeel ) Ei'nt barabar zameen ke liye jhagad rahe hai'n, Tab ye waha'n se chale bhi aaye_,"*
*®_ (Muslim-6493, 6494, Kanzul Ummaal-31767, Dala'il Al-Nabuwat -2/ 321, Bahyqi - 9/206)*
[8/28, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★"_Pesh Goi K Iraan Ke Shehanshah Ke Kangan Suraqa A'arabi Ko Pehnaye jayenge :-*
*"_ Nabi ﷺ ne Suraqa bin Maalik Raziyallahu Anhu se farmaya - Teri kya Shaan hogi Jab Tujhe Kisraa Ke Kangan Pehnaye jayenge _,"*
*★_ Bayhiqi Ki Doosri Rivayat me hai k Jab Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Paas Fateh Iraan ke maale ganimat me Kisraa ke Kangan pahu'nche to unhone Suraqa bin Maalik Raziyallahu Anhu ko bulaya aur Use Wo Kangan Pehnaye Jo Suraqa ke baazuo'n ke ouper tak pahu'nche,*
*★_ Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne Kangan pehna kar Zubaan se kaha - Allah Ka Shukr hai Jisne Kisraa bin Hurmuz se Jo Apne Aapko Rabbul Naas kehlata tha Ye Kangan chheen liye aur Aaj Suraqa bin Maalik A'arabi Ko Pehnaye_,"*
*★_ Imaam Shafa'i Reh. ne Tehreer kiya hai k ye Kangan Suraqa Raziyallahu Anhu ko Nabi ﷺ ki Pesh Goi ki Tameel me Pehnaye gaye the,*
*★_ Hadees Baala ke Mukhtasar Fiqre gor karo Jo Teen pesh Goiyo per mushtamil hai :-*
*1- Khilafate Farooq Raziyallahu Anhu ki Sadaqat per jisne Nabi ﷺ ke irshad ko poora kiya,*
*2_ Fateh Iraan ko,*
*3_ Fateh Iraan Tak Suraqa Raziyallahu Anhu ke Zinda rehne per, Suraqa Fateh Iraan se sirf Chand Saal baad tak hi zinda rahe,*
[8/29, 6:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab esi pesh goiyo'n ka zikr kiya jata hai jinka indraaj Hadees Ki kitaabo me pehle se ho chuka tha fir Un pesh goiyo'n ka zahoor Duniya ke Saamne baad me hua, isse Saabit hoga k Esi pesh goiyo'n ki Nashist Tasna ya Saakht ka waham bhi nahi kiya ja sakta, Neez unse ye bhi Saabit hoga k Qurbe Qayamat ki Alamat v Shara'it Jin Ahadees me bayan farmayi gayi'n aur Jinka Zahoor Aaj Tak nahi hua, Unka zahoor bhi yaqinan Apne Apne Awqaat ( Jo ilme ilaahi me muqarrar hai) Apne Zahiri Alfaaz v Kamaal ke saath basirat Afza E Momineen hoga _,"*
*★_ 654 Saal pehle ki Pesh Goi:-*
*"_ Qayamat nahi aayegi Jab Tak Hijaaj me esi Aag numaya na ho Jo Basra ke Ou'nto per Apni Roshni na dalegi _," ( Bukhari - 118, Muslim - 2902, ibne Hibaan -6839, Musnad Ahmad-5/144)*
*★_ Nabi ﷺ ke Farmuda Alfaaz ka zahoor Jamadi Ussani 654 Hijri ko hua, Yani Sahihinul Hadees ki Wafaat se bhi Chaar Sadiyo'n ke baad, is Aag ke mutalliq Jiski ibtida Pahaad ki Aatish fashani se hui, Judagana kitaabo me Tehreer ki gayi,*
*★_ Shaikh Safiuddin Mudarris Madarsa Basra ki Shahadat mojood hai k Jis Roz us Aag ka Zahoor Hijaaj me hua usi Shab Basra ke Badduo'n ne Aag ki Roshni me Apne Ou'nto ko dekha aur Shinakht kiya,*
*★_ Ye Aag Yakam Jamadius Saani ko pahaad se foot padi thi, Doosri Tareekh ko Zalzala ki raftaar tez Mehsoos hoti thi, Teesri ko Zalzala ki Shiddat aur bad gayi, Chothi ko Zalzala ke saath garaj ki Awaaze bhi aane lagi Goya Falak zor zor se kadak raha ho, Paa'nchvi ko Dhuwe ne zameen v Aasman aur Ufaq ko chhupa liya, Aag ke Shole buland hone lage, Patthar pighalne lage, Roz ba Roz Aag ka Rukh Madina Shehar ki jaanib tha, Madina Ke Bashindo ne Juma ki Shab Masjide Nabvi ﷺ me Haazir reh kar Tamaam Raat Duae'n karte rahe, Subeh ko dekha k Aag ka Rukh palat gaya, Tajjub ki baat ye thi Us Shiddate Aag ke waqt bhi Madina me jo Hawa aati thi, Wo thandi Naseem hoti thi,*
[8/30, 6:47 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 656 Saal Pehle Ki Pesh Goi:-*
*"_ Qayamat qaa'im na hogi ( Ka'i baato ke baad farmaya ) Jab Tak Tum un Turko se Jung na kar loge jo Chhoti Chhoti Aa'nkho wale Surkh Chehre wale, Past Naak wale ho'nge, Unke Chehre Dhaal Jese Chode ho'nge_," ( Bukhari - 2928, 3585, Hameedi - 1101, Abu Douwd-4304, Kanzul Ummal- 38404)*
*★_ Ye Fitna Tataar Ki Khabar hai, Halaku Khan ke Lashkaro ne Khurasan v Iraq ko tabaah kiya, bil Aakhir unko bhi badi Shikast hui thi, Ye Waqi'a 656 Hijri ka hai, Aur Sahiheen me 5 Sadi pehle se darj chala aata tha _,"*
*★_ 885 Saal Pehle ki Pesh Goi:-*
*"_ Musnad Ahmad me aur Sahi Muslim me ba Rivayat Abu Huraira Raziyallahu Anhu aur Sunan Abu Daoud me Ba Rivayat Maaz bin Jabal Raziyallahu Anhu Qustuntuniya Ka Zikr mojood hai _,"*
*★_ Muhammad Faateh Sultan ne Qustuntuniya ko 855 Hijri (1353 iysvi) me Fateh kiya, Yani Kitaab Musnad se 6 Sadiyo'n aur Saal Hijrat se Saade 8 Sadiyo'n ke baad Duniya ne dekh liya jesa k Nabi ﷺ ne farmaya tha _,"*
[8/31, 6:12 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 1444 Saal Ki Pesh Goi:-*
*"_ Fateh Makka ke din ( Panj Shamba 20 Ramzan 8 Hijri ) Nabi ﷺ ne Sheeba bin Usman Raziyallahu Anhu aur Usman bin Talha Raziyallahu Anhu ko Baitullah ki Chaabiya'n ata farmate hue irshad farmaya tha:-*
*"_ Lo Ye Kunji Sambhal Lo, Hamesha Hamesha Ke Liye, Tumse Ye Chaabi Koi na Chheenega Magar Wohi Jo Zaalim hoga _," ( Qurtubi- 5/256)*
*★_ In Mukhtasar Alfaaz me 3 Pesh Goiya'n mindarj hai'n:-*
*1_ Khandaan Abu Talha Ka Duniya me baqi rehna, Nasl qaa'im rehna _,*
*2_ Baitullah ki Chaabiyo'n Ki Hifazat v Khidmat ka inhi Ke Mutalliq rehna _,"*
*3_ Unke Haatho se Chaabiya'n Chheenne Wale Ka Naam Zaalim hona _,"*
*★_ Number 1 v 2 ki baat ab tak Kul Duniya ko maloom hai k Ye Chaabiya'n Banu Sheeba me Aaj Tak mojood hai aur Ye Nasl Ab tak jaari hai,*
*★_ Number 3 ki baabat Mo'rkheen Ka bayan hai k Yazeed Paleed ne unse ye Chaabiya'n chheen li thi, Uske baad fir ye 1444 Saal ka Zamana Shaahid hai k Kisi aur Shakhs ne Allah ke Rasool ﷺ ki Zuban se Zaalim Kehlane Ki Jurrat nahi ki _,"*
[9/3, 6:28 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_Pesh Goi Jiski Tasdeeq Zamana Haal Hamare Saamne Kar raha hai :-*
*"_ Sahi Muslim me Abu Mastoor Qurshi Raziyallahu Anhu ki Rivayat mojood hai K Unhone Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Faateh Misr ke saamne ye bayan kiya k Aakhri Zamane me Poore Yuropion Iysaa'iyo ka Duniya me Zor ho jayega, Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne unhe roka aur kaha k Dekho kya keh rahe ho ? Unhone kaha Mai'n to wohi keh raha hu'n Jo maine Nabi ﷺ se suna hai, Amru bole Tab to Durust hai _," (Muslim - 7229)*
*★_ Qaaraien gor kare'n k Ye Rivayat Sahabi Rasool ﷺ ne us waqt bayan ki Jab Asakare islam Jumla Atraaf Aalam me muzaffar v Manssor they, Jab Unko Iraaq v Shaam v Misr Khurasaan v Iraan v Sudaan ki Futuhaat me Kahi'n ek jagah bhi Shikast nahi hui thi, Aaj Duniya dekh le k American ( Jo Apni Asal ke aitbaar se Yuropion me hai ) bartaniya, italiya, Putgaal, Swidon, Norvey, Switzerland, Spain, Germany vagera ki haalat kya hai ?*
[9/4, 7:20 PM] Haqq Ka Daayi Official: *"_ Pesh Goi (Tehattar Firqe) Jiski Sadaqat ki Shahadat Mojooda Zamana Ada kar raha hai :-*
*★_ Bahyqi v Haakim ne Abu Huraira Raziyallahu Anhu v Muawiya Raziyallahu Anhu aur Tabrani ne Auf bin Maalik Ashja'i se Nabi Kareem ﷺ ke ye Alfaz ( Lambi Rivayat me) bayan kiye hai'n:-*
*"_ Meri Ummat me Tehattar Firqe ho jayenge _,"*
*( Abu Daoud -4496, Tirmizi - 2640, Ibne Maaja - 3991, Ibne Hibaan - 6247, Musnad Ahmad-2/ 332,)*
*★_ Nuzool E Qur'an E Paak ke waqt Ummate Muhammadiya Ke jumla Afraad Ka Munfardan v Mujtaman Ek hi Naam tha yani Muslim, Jesa k Qur'an Paak me ( Surah Hajj -78) "Tumhare Baap Ibrahim Alaihissalam ne Tumhara Naam Musalman rakha hai _,"*
*★_ Ameerul Momineen Ali Murtaza Raziyallahu Anhu ki khilafat ke Agaaz tak yahi Waahid aur Jaame Naam sabka Ma'irfa raha, Lekin Khurooje Khwarij ke baad naye naye Firqe aur Un firqo ke naye naye Naam nikalne shuru ho gaye, Har ek Firqe Ko Apne Makhsoos naam per naaz hai _,"*
*★_ Ye pesh Goi Esi Hidayat aur Sadaqat Ke Saath poori Ho Rahi hai k Karodo Musalmano ke Alag Alag Daave iski Tasdeeq me mojood hai'n,*
[9/6, 6:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Bando Ki Duao'n ka qubool farmana Rabbul Aalameen Ke Sifate iliya me se hai, Wo Ra'ufur Raheem har Ek Bande ki Dua ko ba-sharte poore iftqaar v iztraar se ki gayi ho, qubool farmata hai,*
*★_ أَمَّن يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ _,"*
*(Surah An-Naml, Aayat 62: Tarjuma):- Kon hai ( Allah Ke Siva ) Jo Muztar ki pukaar ko qubool farmata hai _,"*
*★_ Wo Rahman v Raheem ita'at karne Walo ki Duao'n ko Khususiyat se manzoor farmata hai,
*"_ أُجِيبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ إِذَا دَعَانِ _,"*
*(Surah Al-Baqara, Aayat- 186, Tarjuma):- Jab mujhse Maangne wale mujhse maa'ngte hai'n to Mai'n unki pukaar ko sun leta hu'n aur Darkhwast ko manzoor kar leta hu'n _,"*
*★_ Wo Azizul Hakeem Apne Ahad aur Rasool ﷺ ki izzat aur Buzurgi ko Jaha'n v Jaha'niya ke dilo me mustahkam v istwaar karne ke liye Unki Duao'n ko ba Sar'at v ba kasrat manzoor farmata hai, Hattaki Ye Alaamat bajaye khud ek Mojza ( Duniya ko iski Nazeer pesh karne se Aajiz karne wali ) ek Nishan ( Hidayat ke Talabgaro ko Raahe Hidayat per milane wali ) Ek Aayat ( Allah Ta'ala ke Qurbe tak pahunchane wali ) ban jati hai, Sai'nkdon ese Waqiaat mojood hai'n k Nabi ﷺ ki Sachchi Zuban se Jo Alfaz nikle wo poore Tor per usi tarah minjanib Allah poore kiye gaye jesa k Un Alfaaz ke ma'ani Lagvi ka iqtiza tha _,"*
[9/8, 7:31 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sahi Bukhari v Sahi Muslim me Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai Ahade Nabvi me Qahat pada, Inhi Ayyam me Nabi ﷺ Juma ka khutba mimbar per bayan kar rahe they k Ek A'arabi utha, Usne Kaha - Ey Allah ke Rasool ﷺ maal Tabaah ho gaya aur Ayaal bhook se nidhaal hai'n, Hamare liye Dua farmaye'n _,"*
*★_ Nabi ﷺ ne Dono Haath Dua ke liye uthaye, Us Waqt Asmaan per koi badli bhi na thi, Allah Ki Qasam Abhi Huzoor ﷺ ne haath niche bhi nahi kiye they k Pahaado Jese Baadal jama ho gaye,*
*★_ Fir Huzoor ﷺ Abhi Mimbar se na utre they k Huzoor ﷺ ki Daadhi Mubarak per Qatraat Baarish nazar aane lage, Us Roz Saara Din Barasta raha, fir Agle Din bhi aur uske Agle Din bhi, Garz Doosre Juma tak Yahi haal raha,*
*★_ Aur fir Wohi A'arabi Huzoor ﷺ ke Saamne khada hua, Kaha - Ey Allah ke Rasool ﷺ! Ab to makanaat girne lage, Nabi ﷺ ne haath utha kar Ye Alfaz Kahe - "_Allahumma Hawalayna La Alyna _," (Ilaahi gardo nawah me barse, hum per na barse ), Fir Huzoor ﷺ jidhar ke Baadlo ki taraf ishara farma dete they, Wahi fat jate they Hattaki Madina Saaf nikhar gaya aur Shehar se Baahar Jal thal ka manzar ho gaya aur Baahar se bhi Jitne log aaye Sabne Baarish Ka hona batlaya _,"*
*®_( Bukhari -1021 Muslim- 897, Abu Douwd- 1174, ibne Hibaan - 2558, Musnad Ahmad- 3/194)*
[9/9, 7:50 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Dua E Iffat ( Parhezgari ):-*
*"_ Imaam Ahmad Reh. ne aur Shobul imaan me Bayhiqi Reh. ne Rivayat ki hai k Ek Shakhs Nabi ﷺ ke Huzoor me aaya, Arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! Mujhe Zina ki ijazat mil jaye, Log Sunte hi use dekhne aur Jhidakne lage, Huzoor ﷺ ne farmaya - Qareeb Aa'o aur beth ja'o, Wo Jawan Qareeb ho kar beth gaya _,"*
*★_ Huzoor ﷺ ne farmaya Kya Tu Apni Maa'n Ke Liye ye pasand karta hai ? Wo bola - Qurban Jau'n Nahi, Farmaya - Haa'n koi Shakhs bhi Apni Maa'n Ke Liye ye Pasand nahi karta _,"*
*"_ Fir Huzoor ﷺ ne Puchha - Tum Apni Beti ke Liye ye Pasand karte ho ? Wo bola - Qurban Jau'n Nahi, Farmaya - Haa'n, Koi Shakhs bhi Apni Beti ke liye ye Pasand nahi karta _,"*
*★_ Fir Huzoor ﷺ ne Puchha - Tum Apni Behan Ke Liye ye cheez Pasand Karte ho ? Wo bola - Qurban Jau'n Nahi, Farmaya - Haa'n Koi Shakhs bhi Apni Behan Ke Liye ye Pasand nahi karta _,"*
*"_ Fir Huzoor ﷺ ne Puchha - Tum Apni Fufi Ke Liye ye baat Pasand karte ho ? Wo bola - Qurban Jau'n Nahi, Farmaya - Koi insaan bhi Apni Fufi ke Liye pasand nahi karta _,"*
*★_ Fir Puchha - Tum Apni Khala Ke Liye ye baat Pasand karte ho? Wo bola - Qurban Jau'n Nahi, Farmaya - Haa'n Koi Bashar bhi Apni Khala ke liye ise Pasand nahi karta _,"*
*"_ Iske baad Huzoor ﷺ ne daate Mubarak us per rakha aur Ye Alfaz Zubaan se kahe :-*
*"_ اللهُمَّ اغْفِرْ ذَنْبِي وَطَهِّرْ قَلْبِي، وَحَصِّنْ فَرْجِي _,"*
*(Tarjuma) ilaahi iska Gunah door kar de, iska Dil paak kar de aur iska Satar Mehfooz kar de _,"*
*★_ is Dua Ke Baad Ye Jawan Kabhi Esi baat Ka Khayal bhi na kiya karta tha _,"*
*®_ Shobul imaan Bayhiqi -5415, Ahmad-5/257, Tafseer ibne Kaseer-5/70, Kanzul Ummal-466*
[9/10, 6:19 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Bayhiqi ne Ba Rivayat Abdullah bin Abu Bakar Raziyallahu Anhu bayan kiya hai k Bahira Raziyallahu Anhu ne Jo Qaum Tay se tha, Waqia Domta Al- Jundul Ke Mutalliq Apna Shayr Rasulallah ﷺ ko Sunaya, Huzoor ﷺ ne khush ho kar Farmaya- Tu Navve (90) baras ki Umar pahu'nche, Unki Daadhi aur Daa'nt sab Saalim they _," ( Kanzul Ummal -30276, Dala'il Al- Bahyqi - 5/251, Ibne Kaseer -5/17, ibne Hisham -4/139)*
*★_ Saa'ib bin Yazeed Ke Liye Dua :-*
*"_ Sahi Bukhari me Ja'ad bin Abdurrahman Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Saa'ib bin Yazeed 94 Saal ke ho kar faut hue, Unhone kaha k ye Nabi ﷺ ki Dua ka Samra hai k Meri Binayi v Shanwayi ab tak durust hai _," ( Bukhari - 3540, 5670)*
*★_ Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu Ashra Mubashshara Ke Liye Dua:-*
*"_ Sahiheen me Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nabi ﷺ ne Abdurrahman Raziyallahu Anhu ko "Baarakallahu Laka" farmaya tha, Abdurrahman Raziyallahu Anhu Kehte hai'n k iski Barkat se ab tak ye hai k Agar Mai'n Patthar Uthata hu'n to tawaqqo hoti hai k Yaha'n se mujhe Sona Chaa'ndi dastyab hogi _," ( Bukhari - 2049, 5167, Muslim - 1667, 2540)*
[9/11, 7:41 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ke liye Dua :-*
*"_ Sahiheen me Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nabi ﷺ ne mujhe in Alfaz me dua di thi:- "Allahumma Aksir ma lahu wa Waladahu wa Baarik Lahu ma Razaqtahu _,"*
*"_ Ilaahi iske maal iski Aulaad ko badha aur jo kuchh tu ise ata farmaye usme Barkat de _,"*
*★_ Anas Raziyallahu Anhu kehte hai'n - Ba Khuda ! Mere paas maal Kaseer hai aur mere Beto aur Poto Ka Shumar Ek So ( 100 ) ke qareeb tak hai _,"*
*( Bukhari - 1982, Muslim - 6372, Tirmizi -3829, Musnad Ahmad- 3/1083, 188)*
*★_ Tirmizi aur Bahyqi me Abul Aaliyah se Rivayat hai k Anas Raziyallahu Anhu ke paas ek baag tha Jiske darakht saal me do dafa phal diya karte, Us Baag ka Ek esa Phool tha jiski khushbu kastoori jesi thi _," ( Tirmizi- 3833, Dala'il Al-Nabuwat v Bahyqi -6/195)*
[9/14, 7:20 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Maalik bin Rabi'a Saloli Raziyallahu Anhu ke liye Dua :-*
*"_ ibne Asakir ne Yazeed bin Abu Mariyam se Rivayat kiya hai k mere Waalid Maalik bin Rabi'a Raziyallahu Anhu ne mujhe bataya tha k Nabi ﷺ ne mere liye Kasrate Aulaad ki Dua farmayi thi, Allah Ta'ala ne mujhe Assi (80) farzandaan narina ata farmaye _," ( Al Asaba - 3/345)*
*★_ Takabbur ki Saza :-*
*"_ Sahi Muslim me Salma bin Akwa Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Ek Shakhs Baaye haath se kha raha tha, Nabi ﷺ ne farmaya - Daaye haath se Khao, Wo bola - Mai'n nahi kha sakta, Ye Jawab usne sirf guroor ne aa kar diya tha, Huzoor ﷺ ne farmaya - "Tu na kha sake," iske baad uska Dahina haath Moo'nh tak na uth sakta tha _," ( Muslim - 5268)*
*★_ Shikahta Haddiyo'n Ki Durustgi ka Mojza :-*
*"_ Sahi Bukhari me Bar'a Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k jab Abdullah bin Ateek Raziyallahu Anhu qatle Abu Raafe Ke baad Zine se utre to gir pade aur unki Pindli Ki Haddiya'n Toot gayi, Unhone Nabi ﷺ se zikr kiya, Farmaya - Paa'nv failao, Unhone faila diya, Huzoor ﷺ ne us jagah Daste Mubarak rakh diya, Foran wo esa tandurast ho gaye Goya kabhi koi Shikayat hi na thi _,"*
*( Bukhari - 4039, Musannif Abdur Razaq- 5383, Majmua Az Zawa'id- 6/201, Mustadrak- 6/ 434)*
: *★"_ Sunnat E Mustafa v Tareeqa Muhammad ﷺ _,"*
*"_ Qazi Ayaz Reh. ne kitaab "Al Shifa Fi Bayan Huququl Mustafa" me Hadees Zail Ba Rivayat Ameerul Momineen Ali Murtaza Raziyallahu Anhu bayan ki hai, Isse Nabi ﷺ ke Mahasin Akhlaaq aur Makarim Aadaat ka Wazuh Ba khoobi hota hai _,"*
*★_ Musannif ka jo Darja Hadees me hai Wo Unki Kitaab Akmaal Sharah Sahi Muslim aur "Mashariqul Anwaar" se Ba Khoobi namudaar hai _,"*
*★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Maine Rasulallah ﷺ se Sawal kiya k Huzoor ﷺ ka Tareeqa ( Sunnat ) Kya hai ?*
*"_ Farmaya- Ma'arfat Mera Raasul Kamaal ( Poo'nji ) hai, Aqal Mere Deen ki Asal hai, Muhabbat meri Buniyad hai, Shoq meri Sawari hai, Zikre ilaahi Mera Anees hai, Aitmaad Mera Khazana hai, Huzn ( Gam ) Mera Rafeeq hai, ilm Mera Hathiyar hai, Sabr Mera Libaas hai, Raza meri ganimat hai, Ajiz Mera Fakhr hai, Zuhad Mera Hirfa hai, Yaqeen meri Khuraak hai, Sidq Mera Saathi hai, ita'at Mera bachaav hai, Jihaad Mera Khalq hai aur meri Aa'nkho ki thandak Namaz me hai _,"*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
: *★_ Khasa'isul Qur'an:-*
*"_ Qur'an Kareem Wo Paak Kitaab hai Jise Nabi ﷺ ne Kalamullah bata kar Apni Zuban Mubarak se Harfan Harfan sunaya, Lihaza Seerat Nigaar Nabi ﷺ ka farz hai K Qur'an Majeed ke mutalliq bhi Zaroori Mubahis ko Seerat Nabi ﷺ ke saath saath pesh kare,*
*★_ Qur'an Paak ke Naam bhi Asmaul Husna ki tarah 99 tak pahu'nch gaye hai'n, Lekin Sabse Zyada Khaas iska Naam Mubarak "Kalamullah" hai aur Sabse bad kar Mash'hoor iska Naam "Al Qur'an" hai,*
*★_ Zarurat E Qur'an Paak :-*
*"_ Qur'an Majeed ki zarurat Maloom karni ho to Sab Sahebaan ko us zamane ki Tareekh aur Safa Aalam ki Haalat per zaroor gor karna chahiye, Iraan Ke Majoos Ka Sarapa Shirk ki najasat me garq hona aur Ahata insaniyat se nikal kar Unki Maa'n Beti, Behan se Azdwaaj ko jaa'iz e mubah samajh lena,*
*★_ Roma Charch ke Iysaiyo'n Ka Sareeh But parasti me mubtila hokar us Mushrikana Aqeede ki Tarjeeh me Laakho Bandgane ilaahi ka khoon Pani ki tarah bahana, Yaman Ka Qabr Parasti aur Bhoot Pret ki ibaadat me mahu ho jana aur fir khud ko Aasmani farzand Kehlane ka mustahiq qaraar dena, Uska fisq v Fijoor me pad kar Sharab ko Behatreen Af'aal insaani qarar dena, Mard Aurat ki barhangi ke A'aza ki misalo ko Shodwalo me qaa'im karna, Dukhtar Kashi aur Juwa ko Sharafat Ka Nishan qarar dena, Arab ka baaz Sifaate baala me Aksar mumalik se bad jana _,"*
*★"_Algarz mamoora Aalam per Sakht tareeki chhayi hui thi aur in zalalato ke door karne me Wo Kitaabe jo Duniya me pehle Naazil Shuda thi, nakaafi saabit ho chuki thi,*
*★_ In Tamam Aalam ke bigde hue mashre per to kya Asar hota k khud us Qaum ( Jisme kitaab Naazil hui) me uski ita'at baqi na rahi thi, isliye zarurat thi ek esi kitaab ki jisme tamam Aalam ki islah ki Taaqat ho aur tamam Kitaabo ko Apne andar jama kar lene ki qabiliyat aur Ba Lihaaz Apni majmui shan ke digar Aweaaq pareshan si duniya ko mustagna kar deti _,"*
*★_ Haa'n Jis Tarah Sakht garmi aur jiske baad Rehmat ki Barsish ka Nuzool hota hai, Jis Tarah Raat ki sakht tareeki ke baad khursheed E Aalam Afroz Tulu farmata hai, Usi tarah Tamam Duniya per faili hui zulmate muzlima hi ne Qur'an Majeed ke Noore Mubeen ki zarurat ko Afraad E Aalam ke Dilo Dimaag me Saabit v Mehsoos Kara diya tha _,"*
*★_ Lihaza Rehmat E Rabbaniya ne Jo insaan ko Adm se Vajood me lane aur Nutfa se insaane kaamil banane me kaar farma hai, Hamari Roohani Zarurat ke liye is is Noore Hidayat ( Qur'an Paak) ko Naazil farmaya _,"*
: *★_ Bad Bakhti se Esa Firqa bhi paida ho gaya hai jo Rab Kareem Ko Arhamar Rahemeen to maanta hai magar fir bhi Uske Kalame ilaahi ke Duniya me Naazil hone ki Zarurat se inkaar karta hai _,"*
*★_ "Usne Agar Aa'nkh ko Binaayi di hai To dekhne Ke Liye Anginat Rangate bhi banayi hai'n _," ( Surah An- Noor -35)*
*★"_ Agar Kaan Ko Sunwayi mili hai to Sunne ke liye tarah tarah ki Awaaze bhi paida ki hai'n, Paa'nv Chal sakte hai'n to Uski Jolani ke liye Farsh Zameen me hamwaar v Namudaar Raahe'n bhi nikaal di hai'n, Moo'nh kha sakta hai To Zaayqa ke waaste mithe salone khatte feeke khane bhi muhayya kiye hai'n, Yani Jis qadar Hawaas Zaahiri aur Quwa E Baatini Jisme insaani me paye jate hai'n Uske Mutalliq ek ek Judagana Aalam bhi paida kiya gaya hai _,"*
*★_ Magar inko Ab bhi sakht inkaar hai k Rooh E insaani ke Liye ( Jo Fitrat E insaani ki Khazina daar aur uski Mulkiyat ki Hukmraan hai ) Koi Judagana Aalam mojood ho, Agar Ye Log Rooh Ka inkaar kar dete to inki Haalat per itna Afsos na hota lekin Rooh ka iqraar aur Rehmate ilaahi ki jaanib se uske Liye Aalame Khaas ka inkaar qatan israar e fitrat se Adme Agaahi per mubni hai _,"*
: *"★_ Qur'an E Kareem padho, Use Mojooda Halaat v Kaifiyaat Ke Mutalliq Kis qadar Ou'nchi Daleelo se Kaam pada, Qur'an E Kareem ki 6666 Ayaat Sharef ka andaza karo aur un uloom v Ma'arif ka Takhmina lagao Jo un Ayaat me mehfooz kiye gaye hai'n _,"*
*★_ Un Ayaat ke pesh karne se koi Shakhs ye na samjh le k hum sirf itni hi Ayaat ko pesh kar sakte they ya Yahi Chand Ayaat namoona banaye jane ki Salahiyat rakhti hai'n, La Wallah !*
*★_ Is waqt hamari Misaal us guldaate ki si hai Jo Ek gulistan Taza bahaar ki ser ko nikalta aur waapsi ke waqt waha'n se Chand Gul E Shadaab ko Zeb Saro Seena bana leta hai, Koi Shakhs keh sakta hai k is gulche ke baad Fool baqi hi na rahe, Yaqinan iska jawab manfi hoga,*
*(1)_ Usoole ibaadat :-*
*"_ وَمَا لِيَ لَا أَعْبُدُ الَّذِي فَطَرَنِي وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ _,"*
*"(Surah Yaseen - Aayat -22 Tarjuma)- Kya vajah hai k Mai'n us zaat ki ibaadat na karu Jisne mujhe paida kiya aur Jiski taraf hum tum sabko lot kar jana hai _,"*
: *★_(2):- Sharafat insaniyat:-*
*"_Aur Beshak Humne Farzandaan E Aadam ko izzat bakhshi aur Bahro bar ( Sahrao aur Samandaro aur Dariyao) me unke liye Sawariya'n ata ki aur Pakiza Cheeze unko Khiayi aur Apni bahut si makhluqaat per ( jinhe humne paida kiya hai inko bartareen fazilat ata ki _, ( Surah Bani Israiel - 70)*
*★"_(3)_ Awamir yani Karne Ke kaam :-*
*"_ Allah Ta'ala ka hukm ye hai k Adl v Ahsaan karo aur Qarabat daaro ke saath umda Sulook karo _," ( Surah Nahal - 90)*
*★_(4)_ Nawahi yani Na karne ke Kaam :-*
*"_ Allah Ta'ala Behaya'i ke kaamo se aur Bagawat se aur Na pasandida Umoor se tumko mana karta hai _," ( Surah Nahal -90)*
*★_(5)_ Muharramaat :-*
*"_ Mere Parwardigaar ne mindarja zel Baato ko Haram thera diya hai _,"*
*_ (1) Behaya'i ki sab soorte khuli ho'n ya chhupi ho'n, (2) Gunaah (3) Bagawat Nahaq (4) Allah ke Saath Shirk, Jiske jawaz ki baabat koi Aqal v Daleel mojood nahi, (5) Allah Ta'ala ke Khilaf Apni be ilmi se baate banana _," ( Surah Al- A'araaf -33)*
: *"_(6)_ Ta'awun :-*
*"_ (Tarjuma - Surah Al Ma'eeda- 2):- Neki aur Parhezgari Ke Kaamo me ek doosre ki madad kiya karo _,"*
*"_(7)_ Adm E Ta'awun:-*
*"_ ( Tarjuma Surah Al- Ma'eeda-2):- Gunaah aur Sarkashi ( zulm ) ki baato ( kaamo ) me kisi ki kuchh madad na karo _,"*
*"_(8)_ Apne Af'aal ki poori poori Zimmedari:-*
*"_ ( Tarjuma Surah Al- An'aam -164):- "Koi bojh uthane wala kisi doosre Shakhs ( ke Gunaah) ka bojh nahi uthayega _,"*
*"_(9)_ Buraa'i Ko Failana bhi bura hai :-*
*"_ ( Tarjuma Surah An- Nisa, 148):- Buraa'i Ka khula zikr Allah Ko pasand nahi, Haa'n mazloom isse mustashna hai _,"*
*"_(10)_Hilm v Tawazo Ki Taleem :-*
*"_( Tarjuma Surah Al- Furqan):- Aur Rehman ke Bande Wo hai'n Jo Zameen per Aajizi se chalte hai'n aur Jab Jaahil log unse Jahilana baat cheet karte hai'n to Wo Salaamti Ki Baat kehte hai'n _,"*
: *★"_(11)_ Na Pasandida Aadate'n:-*
*"_ ( Tarjuma Surah Luqman 18):- Makkar aur Jhoote Fakhar karne wale Ko Allah Pasand nahi karta _,*
*★_(12)_ Chugli se Nafrat dilane wali misaal :-*
*"_( Tarjuma Surah Al-Hujraat 12) Tumme se koi bhi doosre ki chugli na kare, Kya Tum murda Bhai ki Laash ka gosht khana pasand kar sakte ho ( chugli ki yahi misaal hai )_,"*
*★"_(13)_ Nafa Rasani ki zarurat v fazilat:-*
*"_( Tarjuma Surah Aale imraan 92)_ Tum Asal Neki ko us waqt Tak Haasil nahi kar sakte, Jab tak Allah ki Raah me Apni Pyari Cheezo ko Kharch na Karoge _,"*
*★_ (14)_ Bhai Chare Ki Taleem :-*
*"_( Tarjuma Surah Al-Hujraat 10)_ Sab imaan Wale Aapas me Bhai Bhai hai'n, Yahi Pakki Baat hai Tum Apne Do Bhaiyo'n me Sulah Kara diya karo_,"*
*★_(15)_ Aurto'n Ke Huqooq Mardo'n Ke barabar hai'n:-*
*"_( Tarjuma Surah Al - Baqrah 228)_ Dastoor ke mutabiq ( Jese ) Huqooq Aurto'n Ke Mardo'n per hai'n, Wese hi Aurto'n ke Huqooq Mardo'n per hai'n _,"*
*★_(16)_ Miya'n Bivi Ka ittehad :-*
*"_ ( Tarjuma Surah Al -Baqrah 187)_ Aurte'n Mardo'n ke liye Libaas hai'n aur Mard Aurto'n Ke liye Libaas hai'n _,"*
*★_(17)_ Aurat Ko Juda na Karne Ki Nasihat:-*
*"_( Tarjuma Surah Al - Ahzaab 37)_ Apni Bivi Ko Apne Paas rehne de aur Allah se Dar _,"*
*★_(18)_ Shukr Ka Hukm aur Fayda :-*
*"_ Agar Tum Shukr Karoge To Shukr Karoge To Tumko badhata rahunga _," ( Surah Ibrahim -7)*
*★_(19)_ Imtihaan E ilaahi Ki Cheeze :-*
*"_ Maal v Daulat aur Aulaad me Bando'n Ka imtihaan hai _," (Surah Tagabun - 15)*
*★_(20)_ Kasr Nafsi Ki Taleem:-*
*"_ Mai'n Nafs Ko bari nahi thehrata, Nafs To Buraa'i ki Taraf Uksaya Karta hai _," ( Surah Yusuf - 53)*
*★_(21)_ Deen E ilaahi Ki Tareef :-*
*"_ Allah Ki Banayi hui Us Fitrat Per chalo Jis per Usne Tamaam Logo'n Ko Paida kiya hai, Allah Ki Takhleeq me Koi Tabdeeli nahi layi ja sakti, Yahi bilkul Sidha Raasta hai _," ( Surah - Room 30)*
*★_(22)_ Jung se Bachne Ki Tadbeer:-*
*"_ Tum Dushmano ke Liye apni Poori Taaqat se Tayyar raho aur Srahado Per Poori Fauji Tayyari rakho, is Tadbeer se Tum Allah Ke aur Apne Dushmano Ko Roke rakhoge _," ( Surah Al- Anfaal- 60)*
*★_(23)_ Deen E Sahiha Ka Maqsad :-*
*"_ Wo Allah Ka ye iraada nahi k Tum per koi Dushwari dale, iska to irada ye hai k Tumko Paak Saaf banaye aur Apni Ni'amat Tum per Tamaam Kar de Taki Tum Shukr Guzaar Bano _," ( Surah Ma'eeda-26)*
: *★(24)"_ Rab E Bartar Ka Talluq Ahle imaan Ke Saath Rehmat v Muhabbat Ka hai :-*
*"_ ( Tarjuma) Tumhare Parwardigaar ne Apni zaat per Rehmat ko likh rakha hai ( jama kar rakha hai )_," ( Surah An'aam -12)*
*★_(Tarjuma)_ Wo bahut bakhshne wala Muhabbat Karne wala hai _," ( Surah Burooj -14)*
*★_ (Tarjuma)_ Allah to imaan Walo se Muhabbat karne wala hai aur Unka Kaarsaaz hai aur un sabko Tareekiyo se nikaalta hai aur Noor me laata hai _," ( Al Baqrah- 257)*
*★(25)_ Ek Akele insaan Ki Jaan Ki Qeemat :-*
*"_( Tarjuma)_ Agar kisi ne Ek insaan ko maara To goya usne Tamaam noe insaani ko qatl kar daala aur Jis kisi ne Ek insaan ko bhi Halakat se bacha liya goya usne Tamaam insaano ki Zindgi ko bacha liya _," ( Surah Ma'eeda-32)*
*★(26)_ Mulk me Fasaad ki muma'nat:-*
*"_( Tarjuma) _ Allah Ki Ni'amato ko yaad rakho aur Mulk me Fasaad failane se baaz aa jao _," ( Surah A'araaf -74)*
*★"_ (27)_ kharch Karne ke Usool:-*
*"_ Rehman Ke Bande Wo hai'n K Jab Kharch Karte Hai'n, Tab na israaf ( Fizool Kharchi ) karte hai'n aur Na Bukhl ( Kanjoosi) karte hai'n aur in Haalato ki darmiyani haalat per chala karte hai'n _," (Al- Furqan -67)*
*★"_(28)_ Maal v Jaagir Duniya se Araam v Aasa'ish bhi uthao aur Aakhirat bhi Kamao :-*
*"_ Jo kuchh khuda ne tujhe diya hai usme Aakhirat ki bhi Talab kar aur Apna Duniyavi Hissa bhi mat bhoolja aur Bhala'i kiya kar, Jesa k Allah ne tujhse Bhala'i ki hai _," ( Al Qasas - 77)*
*★_(29)_ Gareeb Miskeeno ki Madad :-*
*"_ Qarabat Wale ( Rishtedar) aur Miskeen aur Musafir ka Haq Ada kiya kar, Ye Baate un Logo'n ke Liye Behtar hai Jo Allah ki khushnudi chahte hai'n aur Yahi Log hai'n Jo Falah (Kamyaabi) payenge _," ( Room- 38)*
*★"_(3)_ Qasam Khane Wala insaan Be Aitmaad ban jata hai :-*
*"_ Jo koi Shakhs bahut Qasme khata hai aur Zaleel banta hai Uska Aitmaad na kar _," ( Al Qalam- 10)*
: *★_(30)_ Allah Az v Jal se Dua maanga Karo :-*
*"_ Allah se Dua maanga Karo, Khaalis usi ke ho kar aur usi ke farma bardaar ban kar raho _," ( Surah -Ghafir- 14)*
*★"_(32)_ Hamd e Khaaliq v Madah Makhlooq:-*
*"_ Hamd Ka Maalik Allah hai aur Allah Ke Bando ke Liye Salam ( Salamti ) hai _," ( Surah Al Namal -59)*
*★"_(33) _ Nizaam E Aalam Ka Bayan :-*
*"_ Tu Rehman Ki Paida Karda Cheezo me kuchh Farq na dekhega, Zara Aa'nkh utha kar dekh kya tujhe Koi nuqs bhi Nazar aaya _," ( Surah Al Mulk -3)*
*★"_(34)_ Qur'an Majeed me Ankaboot ( Makdi ) ke ghar ki Misaal:-*
*"_ Sab gharo me Kamzor Ankaboot (Makdi) ka ghar bana hota hai, Agar Logo'n ko ilm ho _," ( Surah Ankaboot- 41)*
*★"_ilm ko Makdi ke ghar se mutalliq farmaya, isliye k makdi ke ghar me Ahle ilm ke liye bade bade Aja'ib hai'n, German professor Ka Qaul hai k Makdi ke jaale ka har ek Taar Chaar Taaro se mila hua hota hai aur un chaar Taaro me har ek Taar ek Hazaar Taar se bana hua hota hai, Yani Ek Taar me Chaar Hazaar Taage hote hai'n, Ahle ilm gor kare'n k us Jaale ko banane wali makdi ko Allah Ta'ala ne kis qadar faham v farasat aur bareek Nahaj v khayatat ( bunne ) ki Sift ata farmayi hai _,"*
: *★_(35)_Qur'an Majeed aur Shahad Ki Makkhi Ki Misaal :-*
*"_ Tere Rab ne Shahad Ki Makkhi ko wahi ki _," ( Surah Ankaboot-41)*
*★"_ Shahad Ke Chhatte ke andar Nizaam Qaumi, Fauj aur Ahle San'ad ki Judagana Taqseem, Judagana Khandano ke Alhida Alhida mohalle, Bachcha dene wali Rani ki hukumat, Bachcho ki parwarish aur Tarbiyat ki khidmaat Ko Sar Anjaam dene wala Amla, Shehad ke Zakhire, Zakhiro ki hifazat ke Tareeqe, Shehad banane ke liye Hazaaro tarah ki qism ke phoolo me chaashni ka nikaal kar Lana, Chhatte ke sab gharo ka ek jesa raqba hona, ya Jumla Umoor is Natije ka pata deta hai k Jab Wahi E Rabbani kisi Zi Rooh ki takmeel ki jaanib mutavajjah hoti hai to use kya se Kya bana deti hai aur Jab Qur'an Jesi wahi insaan jese zi Aqal v Faham ke Badni v Roohi ki taraf iltfaat farmaye to use kin kin Manzilo tak buland farma degi _,"*
*★_(36)_ Qur'an Majeed aur Namal ( Chu'nti ) ki Misaal:-*
*"_ Chu'ntiyo ki Rani ne kaha - Chu'ntiyo tum apni Araam gaaho me Dakhil ho jao Kahi'n Tumko Suleman aur uske Lashkar Reza Reza na kar de'n aur unko iski khabar bhi na ho _," ( Surah Al Namal - 18)*
*★"_ Allah ! Allah ! Chu'ntiyo ke paas ese ghar mojood hai'n k Jab wo unme dakhil ho jaye'n to Hazrat Suleman Alaihissalam Ka Lashkar bhi unko na bigaad sake,*
*★_ Ye Aayat har ek kamzor Qaum ko Taqarwar Qaum ke saamne Zinda rehne aur Apni hasti qaa'im rakhne ke wasa'il Ki Taleem deti hai, Jinme Pehla Sabaq - Wo ittehad v ittefaq hai k Apne Sardaar ki Raay per jumla Afraad qaa'im v Aamil ho'n _,"*
*"★_ Doosra Sabaq Zaati hifazat ka Samaan Har waqt mukammal rakhna, Teesra Sabaq kisi baalatar Taaqat ke saath muqabla Aara'i ka iraada na karna, Chotha Sabaq - Nuqsaan Rasida ho jane ki haalat me bhi us Shakhs ko ilzaam na dena hai Jiski niyat aur ilm me Nuqsaan Rasaani Shamil na thi,*
*★_ Paa'nchva Sabaq - Jab Musalmano ki ijtimayi haalat Chu'ntiyo ki si ho jaye to unko Qur'an Paak ki Hifazat me dakhil ho jana chahiye, Chhata Sabaq - Aane Wale Khatro se Agaah karna Qaum ke Ameer ka Farz hai, Saatva Sabaq- Chu'ntiyo ki tarah Kamzor Tareen jins bhi Zinda reh sakti hai Agar Wo baqa E Hayaat ka iraada rakhti hai, isliye kisi Qaum ka Zof Kamzori uske fana ki daleel nahi _,"*
: *★(37)"_ Qur'an Majeed aur Zameen v Aasmaan Ki Cheezo Ko Nazar Aitbaar se Dekhne Ka Hukm :-*
*"_ Aasmano aur Zameen Ke Andar Ki Sab Cheezo ko dekho k Wo kya ha'in ? ( Surah Yunus - 101)*
*★_ Yahi Aayat hai Jo Jumla inkshafaat Ki jad hai, Qudrat ki Paida ki hui har Cheez Ko Nazar Aitbaar se dekhna, Uske Khwaas aur Mahiyat, Haqeeqat ka maloom karna insaan ko buland tareen martabe per pahu'nchane wala hai, Afsos hum log Ese Ahkaam ki Tameel se kis qadar laparwah, Qaasir aur Gaafil hai'n _,"*
*★_ (38)_Qur'an Majeed aur Samandar Ke Fawa'id :-*
*"_Aur Wohi hai Jisne Samandar Ko Tumhare Liye Kaam per lagaya, Taki tum usse Taza gosht Khao aur usse Wo Zevraat nikalo Jo pehante ho, aur Tum dekhte ho k Usme Kashtiya'n Pani ko Cheerti hui Chalti hai'n, Taki Tum Allah Ka Fazal Talash Karo, aur Taki Tum Shukr Guzaar Bano_," ( Surah Al Nahal - 14)*
*★_ Hum is post ka Silsila Yahi khatm kar rahe hai'n, Rehmatullil Aalameen ﷺ Ko humne Mukhtasar kar ke Pesh karne ki poori koshish ki hai, Iska Haq to Hum Ada nahi kar paye, Yaqinan humse Kuchh Galtiya'n bhi hui hongi, Guzarish hai Hamare liye Dua kare'n Allah Ta'ala Darguzar ka maamla farmaye_,"*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*📓Rahmatullil Aalameen, (Musannif- Qazi Muhammad Suleman Salman Mansoorpuri Reh.)-,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments