UMMAHATUL MOMINEEN HZ KHADIJA RZ (ROMAN)

 

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*
    *⚂ HAZRAT KHADIJA RAZ. ⚂* 
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                 
*❥_ Ek Roz Hamare Payare Nabi ﷺ Apne Chacha Ki khidmat me haazir hue to unhone kaha :- Bhatije ! Mai'n ek gareeb Aadmi hu'n, Mere Halaat bahut Sakht hai'n, Bahut Tangi me Din guzar rahe Hai'n, Yaha'n ek Maldaar khatoon hai'n, Wo Apna Tijarat ka Samaan Shaam vagera ki taraf bhejti hai'n, Ye Kaam Wo Tumhari Qaum ke yani Quresh ke logo se leti hai'n, is tarah wo log uske maal se Tijarat karte hai'n, Khud bhi nafa haasil karte hai'n aur us khatoon ko bhi nafa haasil hota hai, Mera mashwara ye hai k tum unke Paas jao, is baat ka imkaan hai k wo tumhe Apna maale Tijarat de de, Wo Tumhe jaanti hai'n, Tumhari Sadaqat aur Pakizgi ke bare me unhe ilm hai _,"* 

*❥_ Huzoor Nabi   Kareem ﷺ ne Apne Chacha ke mashware per Amal kiya, Us Khatoon ki taraf chal pade, Abu Taalib ne Apni Baa'ndi Nabi'a ko unke pichhe bhej diya, Wo ye jaanne ke liye bechain they k waha'n kya hota hai, Wo Khatoon Aapse kese pesh aati Hai'n _,*
   
*❥_ Ye Khatoon Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma thi'n, Wo Aapse Khanda Peshani se mili, Aapko izzat se bithaya, Dar Asal Aapke bare me bahut kuchh jaanti thi'n, Aap ﷺ ke bare me jo baate waha'n ke maa'shre me fail chuki thi wo bhi un tak pahunchi thi, Isliye is mulaqaat se pehle hi Aap se mutassir ho chuki thithi'Offi

*❥ Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ka Talluq Khandane Quresh se tha, Aapke waalid ka naam Khuwaild bin Asad bin Abdul Uzza tha, Ye Abde Munaaf ke Bhai they aur Abde Munaaf Huzoor ﷺ ke Daada'o me se they, Abdul Uzza aur Abde Munaaf Ke Waalid Qusa'i bin Kilaab they, is tarah Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ka silsila Nasab Chothi Pusht me Aap ﷺ se ja milta hai _,"*

*★_ Aapke Waalid Khuwaild Zamana Jaahiliyat me Arbo'n ke Sipah Salaaro me se they, Fujaar ki Ladayi me Apne Qabile ki qayadat ki thi, Jab Tab'a Hajre Aswad ko Ukhed kar Yaman le gaya to usko waapas lane me Khuwaild ki koshish ka dakhal tha, _,*

*★_ Khuwaild ki Aulaad bahut thi, Unme Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma Sabse zyada Mash'hoor hai'n, Aapki Walida ka naam Fatima bint Zaa'idah bin Al Asam bin Aasim bin Luwa'i hai Aur Naani ka naam Haala bint Abde Munaaf hai, _,*

*★_ Aapke Waalid Khuwaild bahut Ba izzat Aadmi they, Quresh me Unhe Ahatraam ki nigaah se dekha jata tha, Makka me rehte they, Fatima bint Zaa'idah se Shadi hui aur unse Haathiyo wale saal ( Abraha ke hamle ka saal ) se 15 saal pehle Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma paida hui'n, Jinke Muqaddar me Pehli Ummul Momineen hona likha ja chuka tha_,"*
*★_ Aapne Khaate Peete gharane me Parwarish payi, Tareekh ki kitaabo me Aapke Bachpan ke halaat nahi milte, itna zaroor milta hai k Aap bahut Khuda Turs thi'n, Gareebo ko khana khilati thi'n, Zarurat mando ki madad karti thi'n, Allah Ta'ala ne unhe ek khaas muqaam ke liye chun liya tha,*

*★_ Aapke Ek Chacha Zaad Bhai Warqa bin Nofal they, Ye Toraat aur injeel ke bahut bade Aalim they, Mazhab ke aitbaar se iysaai they, Hazrat Khadija ke Waalid inse Apni Beti ki shadi karna chahte they, Lekin kisi vajah se ye nikaah na ho saka aur Aaapki Shaadi Ateeq bin Aabid bin Abdullah bin Umar bin Makhzoom se ho gayi, Baaz Rivayaat ki ru se pehli Shaadi Abu Haala bin Banash Tamimi se hui _,*

*★_ Ateeq bin Aabid se Aapke Yaha'n ek Bachcha Abdullah paida hua, Uske baad Ateeq bin Aabid ka inteqal ho gaya, Aapki Bevgi ko zyada Arsa nahi guzra tha k Abu Haala bin Banash ne nikaah ka paigaam diya, Is tarah Aapki doosro Shaadi Abu Haala se hui, Abu Haala se Aapke Yaha'n Do bete Hind aur Haaris aur ek Ladki Zainab paida hui,*

*★_ Fir Fujaar ki Ladayi me Aapke Waalid wafaat pa gaye, Unke baad Aapke doosre Shohar ne wafaat payi, Baap aur Shohar ki wafaat ki vajah se Aapko mushkilaat ka Saamna karna pada, Bachcho ki dekh bhaal ab unhi ke zimme thi, Quresh ke Kai nojawano ne Aapko Shadi ka paigaam bheja lekin Aapne Bachcho ki vajah se inkaar kar diya, Aapne Soch liya tha k Bachcho ki tarbiyat Kare'ngi aur Shaadi nahi Kare'ngi,* 8-9

Aapke Khandaan ka pesha chunki Tijarat tha, isliye Aapne bhi yahi pesha Akhtyar kiya, Lekin Chunki Aurat thi'n isliye Apna Maal doosre logo ko de deti thi'n, Wo Doosre Mulko me maal le jate, is tarah nafe me se unhe Apna hissa mil jata tha,*

*★_ Bahut Jald Aap Makka ki Mash'hoor Taajir ban gayi'n, Ek khaas baat ye hai k doosro ki tarah Aap Buto'n ko nahi poojti thi'n, Baaz qareebi logo ne unse kaha bhi k Aap ghar me ek But rakh le'n, Ye Sun kar Aap hamesha muskura diya karti, Aap Achchhi tarah jaanti thi'n k in Buto'n ki kya haisiyat hai, Unhe ilm tha k ye Patthar ke But to kisi ko nafa pahunchane ki taaqat rakhte hai'n na nuqsaan pahunchane ki,*

*★_ Unhone Kai martaba Apne Bhatije Hakeem bin Hizaam ko bhi Buto'n ke qareeb jane se roka, Woh unse farmaya karti thi'n :- Apne Maal ko Gareebo aur Miskeeno per kharch kiya karo, isse Allah khush hota hai _,"*

*★_ Aap Apne Chacha Zaad Bhai Warqa bin Nofal se Aasmani kitaabe Toraat aur injeel suna karti thi'n, un Kitaabo ka sunna Aapko bahut Achchha lagta tha, Warqa bin Nofal unhe bataya karte they k Allah ke ek Rasool aane wale Hai'n aur unhi me aane wale hai'n, Allah Ta'ala unhe logo ki hidayat ke bhejenge, Unki Qaum unki mukhalfat per dat jayegi, Lekin Aakhir unhe galba haasil hoga _,"*
: *★_ Hazrat Khadija ye baate sunti to khwahish karti, Kaash wo Allah ke Rasool ka Didaar kar sake'n, Unke Dil me ye khwahish bhi sar ubharti thi k unhe us Rasoole Arabi ki pervi Naseeb Ho jaye aur ye unki har mumkin madad Kare'n,*

*★_ Aakhir Tijarati Qafile ki rawamgi ke Din aa gaye, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Apna Tijarati maal Aap ﷺ ke Hawale kar diya, Saath hi Aapne Apne Gulaam Maysrah ko Aapke Saath rawana kiya aur unhe hidayat di :- Khabardaar ! Unki na farmani na karna aur na unki kisi raay se ikhtilaf karna _,"*

*★_ Isse maloom hua, Aapne Maysrah ko Aapki nigrani karne ke liye nahi bheja tha, balki Aap ﷺ ka har tarah khayal rakhne aur khidmat guzari ke liye bheja tha,*

*★_ Wo Tijarati Qafila 16 Zihhijja ko rawana hua, Aap ﷺ ke Chacha Aapko Alvida kehne ke liye aaye, Aur Fir wo Qafila rawana hua, Jisme Wo Hasti thi jo Allah Ta'ala ki saari Makhlooq se Afzal aur Aala thi, Allah Ta'ala us Hasti ki nigahbani farma rahe they, us Qafile ki ek khaas baat ye thi k Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ke maal Bardarao'n ki tadaad baqi tamaam logo ke oun'to ki majmui tadaad se zyada thi, Aakhir Ye Qafila Shaam ke Shehar Basra pahunch gaya, Qafile ne ek Girje ke qareeb padaav daala _,"*
: *★_ Aap ﷺ ne Apne Bachpan me Apna Chacha Abu Taalib ke saath hi ek Tijarati Safar kiya tha, Us Safar me bhi Aap isi Girje ke qareeb utre they, Us Waqt Yaha'n Aapki mulaqaat ek Paadri se hui thi, Uska Naam Bahirah tha, Lekin Ab jab Aap Yaha'n utre they to is Girje ka Paadri Nastoora tha aur Dono Safaro ke darmiyani muddat 13 Saal thi, Pehle Safar me Aapki Umar 12 saal thi aur Ab Aap 25 Saal ke ho chuke they,*

*★_ Nastoora ki nazar Aap ﷺ per padi to wo tezi se Aapki taraf bada, Qafile ke logo ne use tezi se Aapki taraf badte dekha to unhe khayal hua k ye kisi buri niyat se aa raha hai, Lihaza unme se ek ne foran Talwaar Soa'nt li aur chilla utha :- Ey Quresh ! Ey Quresh !*

*★_ Chaaro taraf se log daud pade, Ye dekh kar wo Dar gaya aur Dar kar Girje me dalhil ho gaya, Girje ka darwaza band kar ke usne ek Khidki kholi aur pukara :-*
*"_ Ey logo ! Tum kis baat se dar gaye ye dekho mere paas ek Tehreer hai, Qasam hai us zaat ki Jisne Aasmano ko bager Sutoon ke utha diya, Mai'n is Tehreer me likha hua paata hu'n k is Darakht ke niche utarne wala Shakhs Rabbul Aalameen ka paigambar yani Allah ka Rasool hoga, Jise Allah Ta'ala nangi Talwaar aur zabardast imdaad ke saath zaahir farmayaenge, Ye Khatimun Nabiyyeen hai'n, Unke baad koi Nabi aane wala nahi, Ab jo shakhs unki ita'at aur farmabardaari karega wo nijaat payega aur jo unki na farmani karega, wo zaleel v khwaar hoga _,"*

*★_ Doosro Rivayaat me ye Waqia is tarah likha hai k wo Girja se bahar aaya aur bola :- Ye kon Sahab hai'n Jo is Darakht ke niche tashreef farma hai'n ? Jawab me Maysrah ne kaha :- Ye Makka ke ek Qureshi Jawan hai'n_,"*
*"_ Ab Raahib ne Aapko Aur qareeb ja kae dekha, fir Aapke Sar aur Qadmo ko bosa dene ke baad bola :- Mai'n Aap per imaan le aaya hu'n aur Mai'n gawahi deta hu'n k Aap wohi hai'n Jinka Zikr Allah Ta'ala ne Toraat me kiya hai _,"*
*"_ Fir usne Muhare Nabuwat ko dekha aur chooma, fir bola :- Mai'n gawahi deta hu'n k Aap Allah ke Rasool hai'n, Nabi Ummi hai'n, Jinki Aamad ki Basharat Hazrat Iysaa Alaihissallam ne di hai _," ( Seerat Halbiya )*

*★_ Aap us waqt jis Darakht ke niche Araam farma they, Uske bare me Nastoora ne kaha :- is Darakht ke niche Nabi ke siva koi nahi utra _,"*
*★_ Garz is waqie ke baad Aan Hazrat ﷺ Qafile ke logo ke saath Bazaare Basra Tashreef laye aur Samaane Tijarat farokht kiya, Kuchh Maal Kharida, Ese me ek Shakhs Aapse Jhagad pada, Usne kaha :- Laat v Uzza ki qasam khao _," uski baat ke jawab me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- maine in teeno ke naam per kabhi Halaf nahi uthaya _,"  Wo Shakhs bhi galiban koi Aalim tha, Usne Aapki taraf gor se dekha aur pehchan kar bola :- Aap theek kehte Hai'n _,"*
*"_ Iske baad ye Shakhs Maysrah se mila, Use Qadre Faasle per le gaya aur kehne laga :- Qasam hai us zaat ki ye Wohi hai'n Jinka Zikr hamare Raahib Kitaabo me paate Hai'n _,"*

*★_ Maysrah ne uski baat ko gor se suni aur use Apne dimaag me mehfooz kar liya, Basra Pahunchne se pehle ek Waqia aur pesh aaya tha, Qafile ke Do oun'to bahut zyada thak gaye they aur Chalne ke qabil nahi reh gaye they, In oun'to ki vajah se Maysrah bhi Qafile se pichhe reh gaya, Us waqt Aan Hazrat ﷺ Qafile ke Agle hisse me they, Maysrah ne oun'to ke bare me pareshani mehsoos ki, Saath hi use ye fikr hui k wo khud bhi Qafile se pichhe reh gaya hai, Chuna'nche wo daudta hua Qafile tak pahuncha aur Agle hisse me Mojood Aap ﷺ ke paas aaya , Apni pareshani ke bare me Aapko bataya, Aap uske saath un dono oun'to ke paas tashreef laye, Unki Kamaro per Apna Haath faira, Kuchh pad kar un per dam kiya, iska Fori tor per Asar hua, Ount foran khade ho gaye aur fir is qadar tez chale k Qafile ke Agle hisse me pahunch gaye aur Apni chusti aur tez chalne ka izhaar moo'nh se Awaaz nikaal kar karne lage ,*

*★_ Fir Tijarat ka kaam shuru hua, Qafile ka maal farokht kiya gaya aur kuchh maal kharida bhi gaya, is Kharid farokht me Aan Hazrat ﷺ ne itna nafa kamaya k pehle kabhi itna nafa nahi kama sake they, Chuna'nche Maysrah ne Aapse Kaha :- Ey Muhammad ! Hum Barso se Khadija Raziyallahu Anhuma ke liye Tijarat kar rahe Hai'n lekin itna zabardast nafa hume kabhi haasil nahi hua _,"*

*★_ Aakhir Tijarat Se faarig ho kae Qafila waapas rawana hua, Raaste me Maysrah ne ek baat ye not ki k Jab Dopahar ka waqt hota tha aur garmi zoro per hoti thi aur Aan Hazrat ﷺ Apne Ount per sawaar hote they to Aap per Ek Badli Saaya kiye rehti thi ,*
: *★_ is tarah Allah Ta'ala ne Maysrah ke dil me Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke liye bahut muhabbat paida kar di, is Safar me usne Qadam ba Qadam Aapki Neki Sharafat Sachcha'i aur Dayanat daari ka muzahira kiya aur fir to yu'n mehsoos hone laga Jese Maysrah Khud Aapka gulaam ho ,*

*★_ Aakhir Qafila Marzohraan ke muqaam per pahuncha, Ye Makka aur Asfaan ke Darmiyan ek vaadi hai, Ab iska naam Vaadi E Fatima hai, Yaha'n Pahuch kar Maysrah ne Aan Hazrat ﷺ se arz kiya :- Kya Aap pasand farmayaenge k Aap Khadija Raziyallahu Anhuma ke paas humse pehle pahunch jaye'n aur unhe Tamaam halaat bataye'n k is martaba Tijarat me kis qadar zyada nafa hua hai, Mumkin hai wo ye baat sun kar Aapke mu'awze me izaafa kar de'n aur do jawaan oun'to ke bajaye Aapko teen ountniya'n de'n _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne Maysrah ke is mashware ko qubool kar liya, Apni ountni per Sawaar ho kar Marzohraan se aage rawana ho gaye, Aap Dopahar ke waqt Makka  Muazzama me dakhil hue, Us Waqt Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma Apne Makaan ke Ouper wale hisse me bethi thi'n, Aap ﷺ Makka Muazzama me dakhil hue to Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Aapko door se dekh liya, Aap Ount per sawaar they aur ek Badli Aap per Saaya kiye hue thi, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne khud to ye manzar dekha hi, Apne paas bethi doosri Aurto'n ko bhi dikhaya, Wo Sab bhi ye manzar dekh kar bahut Hairaan hui'n_,"*

*★_ Aakhir Aap Khadija Raziyallahu Anhuma ke paas pahunche, Unhe Tijarat me munafe vagera ke bare me bataya, Ye nafa us nafe se doguna tha jo pehle Aapko haasil ho raha tha, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma is Munafe ka haal jaan kar bahut khush hui'n, fir unhone puchha :- Aur Maysrah Kaha'n hai ? Aapne bataya :- maine unhe Jungal me pichhe chhoda hai, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne kaha :- uske paas jaye'n taki wo jald az jald Yaha'n Pahunch jaye _,"*

*★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Aapko waapas isliye bheja k wo dekhna chahti thi'n, Thodi der pehle jo Badli Aap per Saaya kiye hue thi Kya Ab bhi wo Badli Aap per Saaya karti hai ya wo sirf ek ittefaq tha, Aap waapas rawana hue to Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma chhat per chad gayi'n aur Aapko dekhne lagi, Unhone dekha k Wo Badli ab bhi Aap per Saaya kiye hue thi aur usi Shaan se Chale ja rahe they Jis Shaan se tashreef laye they _,*
: *★_ Kuchh der baad Aap ﷺ Maysrah ke saath waapas tashreef laye, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Maysrah se wo kaifiyat bayan ki jo Aapne dekhi thi, Maysrah foran bol pada :- Mai'n ye manzar us waqt se dekhta raha hu'n jab hum Shaam se rawana hue they, iske baad Maysrah ne Nastoora Raahib se mulaqaat ke bare me bataya aur jisse kharid farokht ke waqt jhagda hua tha usne jo bataya tha wo saari baat bhi batayi, Do oun't jo pichhe reh gaye they unka Waqia bhi sunaya, Ye tamaam Waqiaat sunne ke baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Tay Shuda ujrat se doguna ujrat Aapko di, Jabki pehli ujrat bhi doosre logo ki nisbat doguna thi, Fir waapsi per Aap ﷺ waha'n se kapda kharid kar laye they usme bhi bahut nafa hua,*

*★_ in Tamaam Waqiaat ne Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ko had darja mutassir kiya, Aapko Aan Hazrat ﷺ se bahut lagaav paida ho gaya, Chuna'nche Aapne Apni ek Azeez Nafisa bint Munayya ko Aap ﷺ ki khidmat me khufiya tor per bheja, Usne Aapke paas aa kar kaha :- Ey Muhammad ( ﷺ ) Aap shadi kyu nahi kar lete ? Jawab me Aap ﷺ ne farmaya :- Bhala mere paas kya hai k shaadi kar saku'n _," usne kaha :- aur Agar Aapko iski zarurat hi na pade balki Aapko maal v Daulat izzat husno Jamaal sab kuchh mil jaye to kya Aap Qubool kar lenge ?*

*★_ Nafisa ki baat ka matalab ye tha k Agar esi koi Khatoon jisme Sharafat Paakbaazi vagera tamaam khoobiya'n mojood ho aur maal v Daulat bhi jiske paas ho aur wo khud hi Aapko Nikaah ki dawat de to kya Aap Maan lenge _,"*
*Aapne ye sun kar puchha :- aur wo kon Khatoon hai'n ? Usne kaha - Wo Khadija bint Khuwaild hai _," Aap ﷺ ne puchha :- un tak meri rasaa'i kese hogi ?, Ye kehne se Aapka matlab ye tha k Mai'n ek gareeb Aadmi hu'n aur wo bahut Maaldar hai'n, is per Nafisa ne kaha :- iska zimma Mai'n leti hu'n ,*

*★_ Aapne Razamandi zaahir kar di, is tarah Shadi ki Tareekh tay ho gayi, Mukarrarah Tareekh per Qabile ke Ra'ies, Makka Muazzama ke Shurfa aur Umra jama hue, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ki taraf se unke Chacha Amru bin Asad Vakeel they, Aap ﷺ ki taraf se Aapke Chacha Abu Taalib Vakeel they, is tarah Aap ﷺ ki Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma se shadi anjaam payi, Ye Aap ﷺ ki pehli shadi mubarak thi, Us waqt Aapki Umr Mubarak 25 saal aur Sayyada Khadija Raziyallahu Anhuma ki Umr 40 saal thi,*

*★_ Nikaah ke baad Aap ﷺ ne Walime ki dawat di, Aapne 2 Oun't zibah farmaye, Us Roz Abu Taalib bhi bahut khush they, Unhone is moqe per kaha :- Allah Ta'ala ka shukr hai k usne Musibato aur gamo ko humse door kar diya_,"*
: *★_ Aap ﷺ se pehle Quresh ke bahut se log Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko Shadi ka paigaam de chuke they, lekin Aap har martaba inkaar karti rahi'n thi'n, Isliye k Allah Ta'ala ne Aapka Rishta Aan Hazrat ﷺ se likh diya tha, Shaadi ke baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne Apni Saari Daulat Aapke Qadmo me dhayr kar di, Aapko uska Maalik bana diya aur Khud Aap ﷺ ki khidmat me Din Raat lagi rehne lagi'n,*

*★_ Ab Jo'n Jo'n Aap ﷺ ki Umar 40 saal ke qareeb Pahuch rahi thi, Elaane Nabuwat ka waqt qareeb aa raha tha, Aapka waqt zyadatar tanha'i me basar hone laga tha, Fir Aap Gaare Hira me jane lage, Tanha'i me Aapko ek Awaaz sunayi deti :- Ey Muhammad ! Ey Muhammad !*
*Aur kabhi ek noor nazar aata، Ye Noor Aapko jaagne ki haalat me nazar aata, Aap khof sa bhi mehsoos karte aur farmate :- Mujhe Dar hai k is soorate haal ke peshe nazar koi baat na pesh aa jaye,*

*★_ Aapki is baat ke jawab me Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aapse farmati :- Hargiz nahi ! Allah Ta'ala Aapke saath esa kuchh nahi karega, Kyunki khuda ki qasam ! Aap Amanat ada karne wale hai'n, Rishtedaro ki khabar giri karne wale hai'n aur hamesha sach kehne wale hai'n_,"*

*★_ In dino Aapko Tanha'i bahut Mehboob ho gayi thi, Tanha'i ke liye hi Aap Gaare Hira me chale jate they, Jab khane ki cheez khatm ho jati to Aap waapas Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke paas aa jate, Khana le lete aur fir Gaare Hira tashreef le jate they, Gaare Hira se waapas aate to khana kaaba me bhi tashreef le jate, Tawaaf karte, fir ghar tashreef le jate,*
: *★_ Aakhir wo Raat aa gayi Jab Aapko Nabuwat aur Risalat milne wali thi, Aap ﷺ farmate hai'n ( jiska mafhoom hai) :- Mai'n so raha tha, mere paas Jibrai'l Alaihissallam ek reshmi kapda liye hue aaye, Usme ek kitaab thi, Yani ek Tehreer thi, Unhone mujhse kaha :- iqra yani padhiye _,*
*Maine kaha :- Mai'n nahi padh sakta, Yani Mai'n anpadh hu'n, padh likh nahi sakta_,"*

*★_ is per unhone mujhe apne seene se laga kar us reshmi kapde samet is tarah bhee'ncha k wo kapda mere naak aur moo'nh se chhoo raha tha, Unhone mujhe is zor se bhee'ncha k mujhe khayal aaya k kahi'n meri maut na waqe ho jaye, iske baad unhone mujhe chhod diya aur fir kaha :- Padhiye ! Yani us likhe hue ke bajaye wese hi padho, Yani jo Mai'n kahu'n wo kahiye, is per maine kaha :- Mai'n kya padhu aur kya kahu'n _,"*

*★_ Ab Unhone kaha :-*
*"_ اِقۡرَاۡ بِاسۡمِ رَبِّكَ الَّذِىۡ خَلَقَ‌ۚ ۞ خَلَقَ الۡاِنۡسَانَ مِنۡ عَلَقٍ‌ۚ‏ ۞ اِقۡرَاۡ وَرَبُّكَ الۡاَكۡرَمُۙ ۞ الَّذِىۡ عَلَّمَ بِالۡقَلَمِۙ ۞ عَلَّمَ الۡاِنۡسَانَ مَا لَمۡ يَعۡلَمۡؕ ۞*
*(Tarjuma)_ Ey paigambar ! Aap per jo Qur'an ( naazil hua karega ) Apne us Rab ka naam le kar padha kijiye ( yani jab padhe: Bismillahir Rahmanir Raheem keh kar padha kijiye) Jisne Makhlooqaat ko paida kiya Jisne insaan ko khoon ke lothde se paida kiya, Aap Qur'an padha kijiye, Aapka Rab bada Kareem hai ( Jo chahta hai ata farmata hai aur esa hai ) jisne ( padhe likho ko ) qalam se taleem di ( aur ) insaan ko ( umooman doosre zaraye se ) un cheezo ki taleem di jinko wo nahi jaanta tha _," ( Surah Alaq )*
[5/21, 8:50 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ farmate hai'n ( jiska mafhoom hai) :- Maine in Ayaat ko usi tarah padh diya, Iske baad Jibrai'l Alaihissallam mere paas se chale gaye, Iske baad lagta tha, Goya mere dil me ek Tehreer likh di gayi hai, Mai'n gaar se nikal kar ek taraf chala, Jab Mai'n pahaad ke ek jaanib pahuncha to Maine Aasman se aane wali ek Awaaz suni, Wo Awaaz keh rahi thi :- " Ey Muhammad ! Aap Allah ke Rasool hai'n aur Mai'n Jibrai'l hu'n_,"*
*"_ Mai'n Wahi'n ruk kar Awaaz ki taraf dekhne laga, Achanak maine Jibrai'l Alaihissallam ko insaani shakl me dekha, Wo khade hue they, Wo keh rahe they :- " Ey Muhammad ! Aap Allah ke Rasool hai'n aur Mai'n Jibrai'l hu'n_,"*

*★_ Mai'n Wahi'n ruk kar Awaaz ki taraf dekhne laga, Maine un per se nazar hata kar Aasman ki taraf dekha Magar saamne Jibrai'l hi nazar aaye, Mai'n isi haalat me der tak khada raha, Udhar Khadija Raziyallahu Anha ne mere liye khana taiyaar kiya tha aur khana gaar me bhijwaya lekin Mai'n gaar me nahi tha, Jab ye khabar Khadija Raziyallahu Anha ko mili to unhone meri talash me Chachao'n aur Mamuo'n ke ghar Aadmi bheje magar Mai'n kisi ke Yaha'n bhi nahi mila, Is per wo pareshan ho gayi'n, Abhi isi pareshani me thi'n k Mai'n Achanak unke paas pahunch gaya, Maine unhe saara Waqia sunaya, Unhe Jibrai'l Alaihissallam ke bare me bataya, Jo Awaaz suni thi uske bare me bhi bataya,*

*★_ Saari baat sun kar Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne farmaya :- Aapko khush khabri ho ho, Aap Yaqeen kijiye, Qasam hai us zaat ki jiske qabze me meri jaan hai, Mujhe Ummeed hai, Aap is Ummat ke Nabi hai'n _,"*

*"_ Iske baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Apne Chacha Zaad Bhai Warqa bin Nofal ke paas gayi'n, Wo iysaai Aalim they, Unhe Saara Waqia sunaya, Warqa bin Nofal ye saara Waqia sun kar pukaar uthe :-Agar Tum sach keh rahi ho to isme koi shak nahi k unke paas wahi namoose Akbar yani Jibrai'l Alaihissallam aaye hai'n Jo Moosa Alaihissallam ke paas aaya karte they, isliye Mai'n ye baat Yaqeen se keh sakta hu'n k ye is Ummat ke Nabi hai'n _,"*

*★_ Warqa bin Nofal ko Jibrai'l Alaihissallam ka naam sun kar isliye tajjub hua k Makka aur Arab ke doosre Shehro me logo ne ye naam suna bhi nahi tha, Garz iske baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aap ﷺ ke paas waapas aayi'n aur Warqa bin Nofal ne jo kuchh kaha tha, wo Aap ﷺ ko bataya,*
: *★_ Unhi dino Aap ﷺ Baitullah ka Tawaaf karne ke liye aaye, Tawaaf ke dauran Aapki mulaqaat Warqa bin Nofal se ho gayi, Wo bhi us waqt Tawaaf kar rahe they, Unhone khud Aapke moo'nh se wo Waqia sunne ki khwahish ki, Aapne unhe bhi bataya k kis tarah Jibrai'l Alaihissallam unke paas aaye, Saara Waqia sun kar Warqa bin Nofal ne Apna moo'nh jhukaya aur Aapke Sar ke Darmiyan bosa diya, Uske baad Rasulullah ﷺ Apne Ghar lot aaye,*

*★_ Pehli wahi ke bare me ye tafseel bhi Ulma ne likhi hai k Aap per us waqt ghabrahat taari hoti thi, Aap Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke paas tashreef laye to farmaya :- Mujhe Kambal udha do, Mujhe Kambal udha do_,"*
*"_ Chuna'nche Unhone foran Aap per Kambal daal diya, Yaha'n tak k Aap ﷺ ki ghabrahat door ho gayi, Fir Aapne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se farmaya :- Mujhe Apni jaan ka khof paida ho gaya hai _,"*

*★_ is per Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne farmaya :- Hargiz nahi ! Aapko khush khabri ho, Allah Ta'ala Aapko Hargiz Hargiz ruswa nahi karega, Kyunki Aap Rishtedaro ki khabar giri karte hai'n, Sachchi baat kehte Hai'n, Doosro ke liye musibat aur pareshaniya uthate hain, Bekas mufliso ki imdaad karte hai'n, Mehmano ki mehman Nawaziya karte hai'n aur Nek kaamo me logo ki madad karte hai'n, is maamle me Aap ke liye khayr hi Khayr hai _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ko Nabuwat milne ke baad Sabse pehle imaan lane wali Hasti Hazrat Khadija Raziyallahu Anha hi hai'n _,"*
: *★_ Afeef Kundi ek Taajir they, Wo Makka me Tijarat ki garaz se aate rehte they, Ek martaba unki mulaqaat Tijarat ke silsile me ibne Abdul Muttalib se hui, Wo yaman se Atar la kar farokht kiya karte they aur Hajj ke mausam me Makka me farokht karte they, Afeef Kundi Baitullah me Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ke paas bethe they k Achanak ek nojawan qareeb ke khaime se nikla, Usne Sooraj ki taraf dekha, Jab Usne dekh liya k Sooraj magrib me jhuk gaya hai yani guroob ho gaya hai to usne bahut Achchi tarah Vazu kiya aur fir Namaz padhne laga, Fir ek ladka khaime me se nikla, Wo Baalig hone ke qareeb tha, Usne bhi Vazu kiya aur Nojawan ke barabar Khade ho kar Namaz padhne laga,*

*★_ Fir us Khaime me se ek Aurat nikli, Wo bhi un dono ke pichhe Namaz ki niyat baandh kar khadi ho gayi, Uske baad us Nojawan ne ruku kiya to wo Ladka aur Aurat bhi Ruku me chale gaye, fir Nojawan ne Sajda kiya to wo Ladka aur Aurat bhi Sajde me chale gaye,*

*★_ Afeef Kundi hairat se ye manzar dekh rahe they, Unhone Hazrat Abbaas se puchha :- Ye kya ho raha hai ? Unhone bataya :- Ye mere Bhai Abdullah ke Bete Muhammad hai'n, Ye Unka Deen hai, Unka Daava hai k Allah Ta'ala ne unhe Paigambar bana kar bheja hai, Ye ladka mera Bhatija Ali ibne Abi Taalib hai aur ye Muhammad ki Bivi Khadija hai _,"*
*"_ Afeef Kundi kehte Hai'n :- Kaash us waqt chotha musalman Mai'n hota _,"*

*★_ Ye Afeef Kundi baad me Musalman ho gaye they, us moqe per shayad Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu Mojood nahi they, Ye Aap ﷺ ke gulam they aur Aap us zamane me Aapke Saath ye bhi Namaz padha karte they, Ye Fir Hazrat Zaid us waqt tak Musalman nahi hue they,*

*★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aurto'n me Sabse pehle musalman hui'n, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke baad jo Khawateen Sabse pehle musalman hui'n unke naam ye hai'n :- Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ki Bivi Umme Fazal Raziyallahu Anha, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Sahabzaadi Hazrat Asma Raziyallahu Anha aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Behan Umme Jameel Raziyallahu Anha, inka naam Fatima bint Khattab tha, Ye bhi Rivayat milti hai k Umme Ayman Raziyallahu Anha Umme Fazal se bhi pehle Musalman hui'n thi,*

*★_ Behar haal Tamaam Musalmano ka is baat per ittefaq hai k Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Sabse pehle Musalman hui'n thi, Unse Pehle na koi mard Musalman hua na koi Aurat, Matlab ye hai k Jab Aap ﷺ ko paigambari mili to Sabse pehle Aapne Khadija Raziyallahu Anha ko islam ki Dawat di aur Allah Ta'ala ki ibaadat ki taraf unki Rahnuma'i farmayi, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne bager kisi jhijhak ke islam ko qubool kar liya aur Sabqat le gayi'n, Tamaam pehal karne walo me pehal kar gayi'n,*
: *★_ Is silsile me ek Aalim likhte hai'n :- Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko sath liya aur us chashme per le gaye jo Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ke Paa'nv mubarak ki Barkat se gaare Hira ke paas namudaar ho gaya tha, Aap ﷺ ne us chashme per Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko Vazu ka Tareeqa bataya, Ye Tareeqa Aap ﷺ ko Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ne bataya tha, fir Aap ﷺ ne unhe Namaz padhna sikhaya _,*

*★_ Us waqt Aap ﷺ ne unse ye bhi farmaya tha :- Ey Khadija ye Jibrai'l hai'n, Allah Ta'ala ki taraf se tumhe Salam dene ke liye aaye hai'n_,"*
*"_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne Ye Sun kar Salam ka jawab diya, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha imaan le aayi'n to usi Roz Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Aap ﷺ ke ghar aaye, Us waqt Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki tarbiyat Aap ﷺ ke zimme thi, Wo Aapke ghar me dakhil hue to Aap ﷺ aur Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko namaz padhte dekha, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Hairaan ho gaye aur bole :- Ye Aap kya kar rahe Hai'n ? Aap ﷺ ne farmaya :- Ye Allah ka Deen hai, Mai'n tumhe bhi iski dawat deta hu'n k Allah Ta'ala ke ek hone ki gawahi do, wo tanha hai, uska koi Shareek nahi, Mai'n tumhe Laat aur Uzza ( Buto) ko chhod dene ki dawat deta hu'n_,"*

*★_ Is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bole :- Maine is Deen ke bare me kisi se nahi suna, Mai'n Apne Waalid ke mashware ke bager koi kaam nahi karta, Agar ijazat ho to unse mashwara kar lu'n _,"*
*"_ is per Aap ﷺ ne farmaya :- Agar tumhara imaan lane ka iraada na bane to kisi doosre ko iske bare me na batana _,"*
*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne jawab diya :- Ji Achchha !*

*★_ Fir usi Raat Allah Ta'ala ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu per Dil khol diya, Subeh hui to Aap Rasoole Kareem ﷺ ki khidmat me haazir hue aur islam qubool kiya _,"*
: *★_ Hazrat Abu Bakar Siddiqu Raziyallahu Anhu ke bare me Ulma ne likha hai k Aap Nabi Kareem ﷺ ko Nabuwat milne se bhi pehle Aap per imaan la chuke they, Kyunki Yaman ke ek Budhe Aalim se unki Baat Cheet hui thi Usse wo Jaan chuke they k Aap ﷺ Allah ke Rasool hai'n, Wohi Rasool jinka Duniya ko intezar hai, Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu Jab Yaman me us Budhe Aalim ke paas ruke they to usne kaha tha :- mera Khayal hai tum Haram ke rehne wale ho ? Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne farmaya tha :- haa'n Mai'n Haram ka rehne wala hu'n, is per usne kaha tha :- Aur mera Khayal hai Tum Qureshi ho ? Aapne jawab diya :- haa'n Mai'n Qureshi hu'n , Fir usne kaha tha :- mera Khayal hai Tum Khandane Taymi ke ho ? Aapne jawab diya :- haa'n Mai'n Khandane Taymi se Hu'n, Fir usne kaha :- Ab Aapse ek sawal aur puchhna chahta hu'n, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne puchha :- aur wo sawal kya hai ? Usne kaha tha :- Apna Pet khol kar dikha do, is per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Ye Mai'n us waqt tak nahi karunga jab k tum iski vajah nahi bata doge _,"*

*★_ Us waqt usne kaha tha :- Mai'n Apne Sachche aur Mazboot ilm ki buniyad per khabar pata hu'n k Haram ke ilaaqe me ek Nabi ka Zahoor hone wala hai, Uski madad karne wala ek nojawan aur Pukhta Umar ka Aadmi hoga, Wo mushkilaat me kood jane wala aur pareshaniyo ko rokne wale hoga , Uska rang safed aur jism kamzor hoga, Uske pet per ek Baaldaar nishan hoga aur uski Baa'nyi raan per bhi ek Alaamat hogi _,"*
*"_ Ye kehne ke baad usne kaha :- Ab ye bhi zaroori nahi k tum mujhe Apna Pet khol kar dikhao kyunki tumme baqi Alamaat mojood hai'n _,"*

*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu kehte Hai'n k jab Mai'n Yaman me Apni Khareed Farokht ka kaam poora kar chuka to usse rukhsat hone ke liye uske paas aaya, Tab usne kaha - meri taraf se chand Sher sun lo, Ye Sher maine usi Nabi ﷺ ki shaan me kahe hai'n_," Maine kaha :- Sunao, Usne Wo Sher sunaye _,*
: *★_ Fir Mai'n Makka Mukarrama wapas pahuncha to Aan Hazrat ﷺ Nabuwat ka elaan kar chuke they, Foran hi mere paas Quresh ke bade Sardaar Uqba bin Abu Mu'iet, Shaiba, Rabia, Abu Jahal aur Abul Bakhtari vagera aaye aur kehne lage :- Ey Abu Bakar ! Abu Taalib ke yateem Bhatije ne ye Daava kiya hai k wo Nabi hai, Agar Aapka intezar nahi hota to hum is maamle me Sabr na karte, Ab Aap aa gaye hai'n isliye usse nibatna Aap hi ka kaam hai_,"*

*★_ Ye baat Unhone isliye kahi thi k Aan Hazrat ﷺ aur Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu qareebi dost they, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu kehte Hain :- Maine Achchhe andaz me taal diya aur khud Aan Hazrat ﷺ ke ghar pahunch gaya, Darwaze per dastak di, Aap ﷺ bahar tashreef laye, Aapne mujhe dekh kar farmaya :- Ey Abu Bakar Mai'n tumhari aur tamaam insaano ki taraf Allah ka Rasool bana kar bheja gaya hu'n, isliye tum Allah Ta'ala per aur uske Rasool per imaan le aao _,"*

*★_ Maine arz kiya :- Kya Aapke paas iska saboot hai ? Aan Hazrat ﷺ ne farmaya:- Us Budhe Aalim ke Sher jo usne tumhe sunaye they _," Maine hairaan ho kar arz kiya :- Mere Dost ! Aapko un ash'aar ke bare me kese pata chala ? Aap ﷺ ne farmaya :- Mujhe us azeem farishte ke zariye pata chala jo mujhse pehle bhi tamaam nabiyo ke paas aata raha hai _,"* 
*"_ Ab Maine arz kiya :- Apna haath Laye'n, Mai'n gawahi deta hu'n k Allah Ta'ala ke Siva koi ma'abood nahi aur Aap Allah ke Rasool hai'n _,"*

*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- mere islam ko qubool karne se Aapko betahasha khushi hui, Sab logo ke saamne Apne imaan lane ka elaan Sabse pehle Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne kiya tha, Sabse pehle imaan lane wali ki Tarteeb is tarah hai :- Mardo me sabse pahle Hazrat Abu Bakar Siddiq aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhum imaan laye, Aurto'n me sabse pahle Hazrat Khadija Raziyallahu Anha imaan layi'n, aur gulaamo me sabse pehle Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu imaan laye, Wo us waqt tak Baalig nahi hue they,*
 *★_ Ab Aap ﷺ ne Apne Aas paas ke logo ko islam ki Dawat shuru ki, is silsile me jo mushkilaat thi unke saamne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha dat gayi'n, Apna Tan man aur dhan sab kuchh qurban karne per tul gayi'n,*

*★_ Aap ﷺ ki Sahabzaadi Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Shohar Abul Aas Gazwa Badar me giraftaar hue, Ye us waqt ki baat hai jab Mushriko se nikaah na karne ka hukm naazil nahi hua tha aur Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ki Shadi Abul Aas se ho chuki thi, Doosre Qaidiyo ki tarah inse bhi kaha gaya :- Aap bhi Fidiye ki raqam ada Kare'n taki Aapko riha kiya ja sake_," Unhone Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko paigaam bheja k unki Azaadi ke liye Fidiye ki raqam bhej de'n, Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko ye paigaam mila to Aap pareshan ho gayi'n kyunki us waqt Aapke paas koi raqam nahi thi, Albatta Shadi ke moqe per unhe jo jahez mila tha Usme Ek haar bhi tha, Unhone wohi Haar bhej diya, Wo Haar dar Asal Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ka tha,*

*★_ Jab ye Aap ﷺ ki khidmat me pesh kiya gaya to Aapne us Haar ko pehchan liya, Aapko Hazrat Khadija yaad aa gayi'n, Aapki mubarak Aan'kho se Aa'nsu jaar ho gaye, Aapko rote dekh kar  Sahaba Kiraam bhi rone lage, Unhone arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Aap ye haar beti ko waapas kar de'n, Fidiye ki raqam hum ada kar dete Hai'n_,"*
*"_ is waqie se saabit hai k Aap ﷺ ko Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se kis qadar Muhabbat thi,*

*★_ isi tarah Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Ek martaba Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ki behan Haala hamare Yaha'n aayi'n, Unhone ijazat talab karne ke liye Awaaz di, Unki Awaaz Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se bahut milti thi, Fir kya tha ye Awaaz sun kar Huzoor ﷺ ko Hazrat Khadija Raziyallahu Anha yaad aa gayi'n, Aap hairat aur masarrat ke aalam me pukaar uthe :- Ya Allah ! Ye to Haala lagti hai'n_,"*.
*"_ Us waqt maine Aap ﷺ se kaha :- Aap Quresh ki ek Budhi Aurat ko kyu har waqt yaad karte rehte hai'n, Unhe to faut hue bhi arsa ho gaya, Allah paak ne Aapko usse behtar Bivi ata farma di hai _," Ye Sun kar Aap ﷺ Jalaal me aa gaye, Yaha'n tak k Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ne naadim ho kar arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Mujhse galti ho gayi, Aainda Mai'n unka zikr achchhe Alfaaz hi me karungi _,"*
: *★_ Jab Bilkul nazdeek ke log Aap imaan la chuke to Allah Ta'ala ne hukm naazil farmaya :- Apne qareebi logo ko daraiye _,", ye hukm naazil hone per Aap ﷺ Kohe Safa per tashreef le gaye aur pukaar kar farmaya :- Ey Bani Abdul Muttalib ! Ey Bani Fahra aur Ey Bani Ka'ab ! Agar Mai'n tumse kahu'n k is pahaad ke pichhe dushman jama ho gaye aur tum per hamla karne wale hai'n to bata'o kya tum meri ittela ko durust samjhoge ? Aap ﷺ ki baat ke jawab me sabne kaha :- haa'n ! Hum Aapki baat ko durust samjhenge isliye k Aapne Jabhi jhoot nahi bola _,"*
*"_ is per Aapne farmaya :- To fir jaan lo ! Mere paas Tumhare liye sakht Azaab ki ittela hai _,"*

*★_ Abu Lahab ye sun kar sakht naraaz hua, usne bhinna kar kaha :- Tu hamesha barbaad rahe ... Kya tune bas yahi sunane ke liye bulaya tha ( na'uzubillah ), Fir log badbadate hue waapas lot gaye, Aap ﷺ ne tablig ka kaam jaari rakha, is per Quresh Shadeed mukhalfat per utar aaye, Aap ﷺ ko jab bhi Qureshe Makka ki taraf se Sadma pahunchta to Aap sidha Khadija Raziyallahu Anha ke paas tashreef late, Sayyada Khadija Aapki baato ki tasdeeq karti to Aapka Sadma door ho jata, Garz har mushkil waqt me Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ne Aapki khidmat me koi kasar utha na rakhi _,*

*★_ Jab islam Aahista Aahista failne laga to Quresh bahut Fikrmand hue, Unhone Abu Taalib ko bula kar kaha :- Ry Abu Taalib ! Agar Aapke Bhai ke bete hamare Deen ko aur Jin Buto ki hum pooja karte hai'n unko isi tarah bura kehte rahe aur Aap isi tarah unki madad karte rahe to hum samjhenge k Aapne bhi hamare muqable me sirf unki madad ki thaan rakhi hai, is soorat me hum jo kuchh bhi kare, fir shikayat na kare'n _,"*
*"_ Abu Taalib ne unhe Samjha bujha kar waapas bhej diya, idhar Aap ﷺ barabar Tablig karte rahe, is per Quresh fir jama hue, Abu Taalib ke paas aaye, Unhone kaha :- Agar Aapne ab bhi Apne Bhatije ko na roka to hamare aur Aapke darmiyan koi waasta nahi reh jayega aur ye bhi ho sakta hai k humme se koi  maara jaye _,"*

*★_ Abu Taalib ne Aap ﷺ se baat ki aur kaha :- Bhatije ! Apne Deen ke aitbaar se tum mujh per itna bojh na daalo k Mai'n utha na Saku'n _," unki baat ke jawab me Aapne farmaya :- Chacha Jaan ! Agar ye log mere ek haath per Surah aur doosre haath per Chaand rakh de'n aur mujhse kahe k jo kuchh Mai'n keh raha hu'n usse Baaz aa jao to bhi Mai'n esa hargiz nahi karunga, Chahe meri jaan kyu na chali jaye _,"*
*"_ Ye sun kar Abu Taalib ne kaha :- Bhatije ! Tum jo chaho karo, Mai'n Aainda tumhe nahi tokunga _,"*
*★_ Quresh ne bhi jaan liya k Abu Taalib is silsile me kuchh bhi karne ko taiyaar nahi hai to Wo ek baar fir jama ho gaye aur Abu Taalib se bole :- Ey Abu Taalib ! Aapke Bhatije ka ek hi ilaaj hai aur wo ye hai k use hamare hawale kar de'n taki hum use qatl kar de'n, Us ek ke na hone se Aakhir kya fark pad jayega _,"*.
*"_ Ye Sun kar Abu Taalib bole :- Bade Afsos ki baat hai, Agar Mai'n tumme se kisi ke bete ko sirf Apni mukhalfat ki buniyad per tumse maangu taki use qatl kar saku to kya tum esa karoge, nahi karoge, To Mai'n kyu Apne Bhatije ko tumhare hawale karu, Mai'n esa hargiz nahi kar sakta _,"*
*"_ Is per sabne kaha :- Ey Abu Taalib ! Tum Apni Qaum ke sirf ek Shakhs ke liye Qaum me tafreeq daal rahe ho, Tumne Apni Saari Qaum ko Apne Bhatije ke khaatir zaleel kar ke rakh diya hai _,"*

*★_ Ye keh kar Quresh lot gaye, Ab Abu Jahal vagera ne ek jagah jama ho kar soch vichaar ki aur Aakhir is natije per pahunche k jab tak Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib Muhammad ﷺ ki Himayat tark nahi karte aur unhe hamare hawale nahi karte, Us waqt tak un logo se koi Karobaar na kiya jaye, na unke haath koi cheez farokht ki jaye na unse kharidi jaye, na unke yaha Beti Bete ka Rishta kiya jaye, na unke saath betha jaye na kisi qism ka Mel jol rakha jaye, Koi Shakhs agar kisi Musalman ka Makrooz hai to Qarz ada na kare aur Unhe Sha'ab Abi Taalib me rehne per majboor kar diya jaye, Sha'ab Abi Taalib Ek Ghaanti ka naam tha, Aaj ke daur me is qism ke mu'ahide ko Social Boycott kaha jata hai yani Ma'shrati Talluqaat khatm kar dena, in sab Hazraat ko waha'n rehne per majboor kar diya jaye _,"*

*★_ Ye Boycott Nabuwat ke Saatve Saal ek Muharram ko shuru hua aur Nabuwat ke Dasve Saal Muharram me khatm hua, In 3 Saalo me Rasoole Kareem ﷺ, Aapke ghar walo, Gareeb aur Nadaar Musalmano, Abu Taalib, Bani Hashim, Bani Abdul Muttalib aur unke Saathiyo ne musibato aur mushkilaat ka badi jurrat se muqabla kiya, Quresh ke mazalim ke muqable me koi kamzori na dikhayi, Sabke sab Aap ﷺ ki Himayat me date rahe _,"*

*★_ Haalat ye thi k na ye Hazraat kisi se koi len den kar sakte they na Makka ke bazaaro me kharid farokht kar sakte they, Sha'ab Abi Taalib Kohe Abu Qubes ki ghaantiyo me se ek Ghaanti thi, Ye Haram se ek Kilometre ke faasle per thi, Bani Abdul Muttalib aur Bani Hashim ke Aksar gharane isi mohalle me rehte they ya fir uske ird gird rehte they, Jab Kuffaar ne Boycott ka Mu'ahida likh kar Haram me latka diya to Abu Taalib ne doosre Mohalle me rehne wale Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ke ghar walo ko bhi is Ghaanti me aa jane ke liye kaha _,*

*★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ka Aaba'i makaan doosre Mohalle me tha lekin Aap ab Rasulullah ﷺ ke saath rehti thi'n, Unhone bhi Apna Zaroori Samaan liya aur Aap ﷺ ke saath is Ghaanti me aa gayi'n, Baaz doosre haami Qabile aur gareeb musalman bhi yahi'n aa gaye, Unka Talluq Quresh ke khandaan se nahi tha, in sab Hazraat ke ek jagah jama ho kar rehne ka faisla Abu Taalib ka tha, Ye faisla is lihaaj se bahut Achcha tha k musalman Apne apne mohallo me bikhre rehte to unke liye ye 3 saal guzaarna aur zyada mushkil hota, Sabne mil jul kar ek doosre ka dukh dard baant kar ye saal guzaar liye, ye aur baat hai k ye 3 saal intehayi mushkil saal they, bahar se koi aa kar madad nahi karta tha, Albatta Aapas me ye sab ek doosre ke gam gusaar they,
 *★_' Sha'ab Abi Taalib me rehne wale na to Tijarat kar sakte they na Makka Muazzama ke bazaaro me kharid farokht kar sakte they, Bahar se koi Qafila aata to Quresh uska saara maal mehnge daamo me kharid lete they, Abu Lahab un Taajiro se kehta :- Koi musalman ya Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ka koi Shakhs tumse kuchh kharidna chahe to qeemat itni zyada batana k kharid na sake, Agar tumhara maal na bik saka to Mai'n saara maal kharid lunga _,"*

*★_ Saal me 4 mahine Rajjab, Ziqa'ada, Zulhajj aur Muharram Hurmat ke mahine they, in chaar mahino me in Hazraat ko kuchh Kharid farokht ka moqa milta tha, Lekin aamdani ka koi zariya nahi tha, Rassole Akram ﷺ aur Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke paas jo kuchh tha, Usse Aap dono gareeb Musalmano ki madad karte rahe aur is tarah is Boycott ke khatm hote inki apni maali haalat bahut kamzor ho gayi, Hazrat Umar bhi mukhtalif tareeqo se Musalmano ki madad karte rehte they lekin Senkdo logo ki zarurat poori karna asaan kaam nahi tha _,*

*★_ Jab in logo ki poonji bilkul khatm ho gayi to gharelu cheeze bikne lagi, Aakhri dino me jab Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke ghar me ek haandi aur mitti ka pyala reh gaya, Ghaanti me rehne wale darakhto ke patte khane per majboor ho gaye, Wo pahaadi ilaaqa tha, waha'n Darakht bhi bahut kam they, Un dino ki haalat bayan karte hue Hazrat Sa'ad bin Abi Waqqas Raziyallahu Anhu kehte Hai'n k ek raat unhe Ount ke chande ka Sookha hua tukda mil gaya, Unhone use dhoya aur ubaal kar teen din tak usi se guzara kiya _,"*
*"_ Ye Duniya ki Tareekh ka Zalimana tareen Boycott tha, Quresh Makka ba qa'ada nigrani karte they k Makka ka koi fard chori chhipe in Hazraat ko khane pine ki koi cheez na pahuncha de _,"*

*★_ Asal me Quresh Makka chahte they k in Hazraat ki koi Himayat na kare, iske baad unke liye Quresh ke digar khandano se Apne Apne Musalman ho jane wale afraad ki Himayat chhuda dena asaan ho jata aur jab tamaam Qabile Musalmano ki Himayat se haath utha lete to Quresh ke liye Musalmano se nipatna asaan ho jata Lekin hua ye k in dono khandano ne har qism ki takaleef to bardasht kar li lekin Quresh ke muqable me haar na maani, Nabi Akram ﷺ aur Aapke gareeb Saathiyo ke Musibato se date rehne me koi fark na aaya _,"*
 *★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke Bhatije Hazrat Hakeem bin Hizaam Raziyallahu Anhu Chori Chhipe samaan le aate they, Ek Roz gulam ke saath Galla la rahe they k Ount per sawaar Abu Jahal udhar se aa nikla, Usne pukaar kar kaha :- Kya tu ye Rashan Banu Hashim ke liye le ja raha hai, Khuda ki qasam tera ye gulam waha'n Galla nahi le ja sakta, Mai'n tumhe saare Makka me Ruswa kar dunga k tumne Mu'ahide ki khilaf Varzi ki hai_,"*

*★_ Abu Jahal abhi Jhagad raha tha k Banu Asad ka Sardaar Abul Bakhtari unhe dekh kar ruk gaya, Usne Abu Jahal se puchha :- Kya hai, tum isse kyu Jhagad rahe ho ? Jawab me Abu Jahal ne kaha :- Ye Banu Hashim ke liye Galla le ja raha hai_," Abul Bakhtari ne foran kaha :- Ye iski Foofi ka Galla hai Jo uske paas rakha tha, Ab usne mangaya hai to tu use kese rok sakta hai, Jane do ise _," "_nahi Mai'n nahi jane dunga _," Abu Jahal usse bhi Jhagad pada.*

*★_ Dono me tez lehje me baat hone lagi, Abul Bakhtari ne Abu Jahal ke Ount ki gardan pakad kar jhatka diya to Ount Beth gaya, Usne Abu Jahal ko guddi se pakad kar niche kheench liya, Fir laato aur ghoonso se uski marammat ki, Yaha'n tak k qareeb padi ek haddi utha kar uske sar per de maari, Uske Sar se khoon behne laga, Ese me Hazrat Hamza Raziyallahu Anhu udhar se guzre, Aap unhe dekh kar ruk gaye, Unhe rukte dekh kar dono Apni ladayi se Baaz aa gaye taki Aap ﷺ tak unki Aapas ki Ladayi ki khabar na pahunche _,*

*★_ Tareekh ki Kitaabo me Musibat bhare in 3 Saalo ki bahut tafseel bayan hui hai'n, ibne Qayyim kehte Hai'n :- Bani Hashim ke bachche bhook ke maare is qadar zor zor se rote they k unke rone ki awaaze Ghaanti ke bahar tak sunayi deti thi _,"*
*"_ Imaam Qustlani ne likha hai :- Bani Hashim ke bachcho ke rone ki Awaaze Raat ke sannate me tamaam Shehar me sunayi deti thi, Sangdil aur be reham Qureshi sunte they aur hansa karte they aur Tanz kiya karte they _,"*
*"_ Shibli No'mani likhte hai'n :- Un dino me darakhto ke patte kha kha kar guzar basar ki gayi _,"*
: *★ _ in tamaam sakhtiyo aur takaleef ke baavajood musalaman saabit qadam rahe, Unke qadam bilkul bhi nahi dagamagaye, ek raat Hashim bin Amru bin Haaris teen oo'nton par khana le kar Ghaanti me dakhil hue, Wo Musalamano ke hamadard they aur Abhi musalamaan nahi hue they,  jab Quresh ko is baat ka pata chala to unhone doosri subah Hashim se Baaz purs ki, is par unhone kaha:- Theek hai, Mai'n Aainda aisa kuchh nahi karunga jo Aapke khilaf ho_, "*
 *"_ iske baad ek raat phir do oo'nton par khaane - peene ka saamaan le kar Ghaanti me pahunch gaye,  Quresh ko isaka bhi pata chal gaya,  is baar Quresh ko bahut gussa aaya aur unhone Hashim par hamala kar diya lekin us waqt Abu Sufiyan ne kaha:- ise Chhod do, isne Silah Rehmi ki hai, Rishtedaro ka haq poora karne ke lie aisa kiya hai_, "*

 *★ _ Aakhir Allah Ta'ala ne Aan Hazrat Sallallahu Alaihi vasallam ko ittela di k deemak ne Quresh ke likhe mu'ahide ko chaat liya hai, Aan Hazrat ﷺ ne Apne Chacha Abu Taalib se ya baat kahi, unhone aapaki ye baat sun kar kaha : - sitaaro'n ki Qasam! tumne kabhi jhooth nahi bola"  (musharik log is qism ki qasme khaya karte they), Ab sabhi ne Ghaanti chhodne ka faisla kiya, sabhi waha'n se nikal kar Masjid-e-Haram me aa gaye,  Quresh ne in logo ko dekha to samajhe k ye log musibato ghabra kar nikal aaye hai'n, taki Rasulullah ﷺ ko mushriko ke hawale kar de'n, Abu Taalib ne unse kaha:- hamaare aur tumhaare darmiyan Mamlaat bahut tol pakad gaye hain, isliye Ab tum log Apna Wo Halafnama le lao, mumkin hai hamaare aur tumhare darmiyan sulah ki koi shakl nikal aaye_,"*

 *★ _ Abu Taalib ne asal baat kehne ke bajaay ye baat isliye kahi k Quresh halafnama saamne lane se pehle use dekh na le, kyonki aisi soorat me wo usko le kar hi na aate, Garz wo halafanama le kar aaye, Unhe is baat me  koi shak nahi reh gaya tha k ye log ab Rasulullah ﷺ ko unke hawale karna chahte hai'n, Kyunki Ye tamaam Halafnama aur muahida Aan Hazrat ﷺ ki vajah se hue they, Aakhir wo Halafanama le aaye, Saath hi kehne lage :- Aakhir tum log Pichhe hat gaye na!*
 *"_ is par Abu Taalib ne kaha:- Mai'n Tumhare paas ek insaaf ki baat le kar aaya hu'n, isme tumhari koi be izzati hai na hamari, aur wo baat ye hai k mere Bhatije yani Aan Hazrat ﷺ ne bataya hai k Tumhare us Halafname per jo tumhare haath mei hai, Allah Ta'ala ne ek keeda musallat kar diya hai, us keede ne usme se Alfaaz chaat liye hai'n, Agar baat isi tarah hai jaise mere Bhatije ne bataya hai to maamla khatam ho jata hai, Lihaza tum apni galat baat se Baaz aa jo,Agar baaz na aaye to bhi Khuda ki qasam Jab tak humme se Aakhri Aadmi zinda hai, hum Muhammad ﷺ ko Tumhare hawale nahi karenge, aur agar mere Bhatije ki baat galat nikli to hum unhe Tumhare hawale kar denge fir tum Chahe unhe Qatl karo chahe zinda rakho_, "*

 *★_ is par Quresh ne kaha:- Hume Tumhari baat Manzoor hai_,", ab unhone Ahadnama khol kar dekha, Ahadnama ko waqai deemak chaat chuki thi,  ye dekh kar wo pukar uthe :- ye tumhare Bhatije ka jaadoo hai_"*
 *"_ is waqie ke baad un logo ka zulm aur badh gaya, lekin unme se kuchh log aise bhi the jo deemak wale waqie se sharminda they, unhone kaha:- ab hamari taraf se esi sakhti apne bhaiyon per zulm hai_," fir ye log Ghaanti me pahunche aur in Hazraat se is yu'n kaha:- Aap sabhi apne gharo me aa jaye, Chuna'nche sab log us Ghaanti se nikal kar usi waqt apane-apane ghar aa gae, is tarah 3 saal baad ye Boycott khatm hua.*
: *★_ Sha'ab Abi Taalib ki Ghaanti se Aan Hazrat ﷺ aur Aapke Saathiyo ki rihayi Nabuwat ke Dasve Saal me hui, Uske baad Aan Hazrat ﷺ ne Tablig ka kaam pehle se bhi zyada sargarmi se shuru kar diya tha, in halaat me us zalimana Boycott ko khatm hue Abhi ek mahina bhi nahi guzra tha k Aapke Meharban Chacha Abu Taalib is Duniya se rukhsat ho gaye, Unki wafaat per Aapko bahut Sadma hua aur is Sadme ko abhi ek hafta nahi hua tha k Ummul Momineen Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne bhi is daare faani se kooch kiya, Ouper Tale Do Sadme Aapke liye bahut Sakht they, Aapne is Saal ko gam ka saal qaraar diya,*

*★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha pehli Hasti thi'n Jinhone Aan Hazrat ﷺ ki qadar aur Azmat ko pehchana aur Apna Tan man aur dhan Aapki khidmat ke liye waqf kar diya, Huzoor ﷺ se Shadi ke baad 25 saal ki zindgi me be panah mushkilaat me Aapne Huzoor Nabi Kareem ﷺ ka poori tarah saath diya, Qureshe Makka Qadam Qadam per Aapko Takaleef pahunchate they aur Sayyada Khadija Raziyallahu Anha Aapko Araam v Sukoon pahunchati thi'n, Aapne Apni har Khushi Nabi Kareem ﷺ per nyochhawar kar di, Aapki mojoodgi me Allah ke Rasool ﷺ ko ghar aur bachcho ki dekh bhaal ki koi fikr nahi hoti thi, Sab kaam Aapne Sambhale hue they,*

*★_ Sabse pehle imaan bhi Aap hi layi'n, Aapne Nabi Kareem ﷺ ka be misaal saath diya, Nabi Kareem ﷺ ne ek martaba Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke bare me farmaya :- Khadija Raziyallahu Anha ne Jo mujhse wafadaari ki uske Sabab mujhe unki yaad bahut margoob hai, Jab logo ne meri Nabuwat ka inkaar kiya to wo mujh per imaan layi'n, Jab log meri madad karne se darte they to Wo Chattan ki manind mazbooti se mere saath khadi rahi'n, Wo Behatreen saathi thi'n aur mere Bachcho ki Maa'n _,"*

*★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke Batan se Aap ﷺ ke Yaha'n 6 bachche paida hue, 2 Sahabzaade aur 4 Sahabzaadiya'n, Sahabzaade Bachpan hi me faut ho gaye, Jab Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki wafaat hui to us waqt tak Aapki 2 Betiyo'n ki Shadi ho chuki thi, 2 Betiya'n Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ghar me thi'n, Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki Umr us waqt 8-9 saal ki thi, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi Aapke ghar me hi Parwarish payi thi, Wo bhi abhi chhote they_,*
: *★_ Bukhari Sharif me Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki shaan me ye Hadees Mojood hai :- "_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek roz Jibrai'l Alaihissallam Aapki khidmat me haazir hue aur yu'n arz karne lage :- Ey Allah ke Rasool ! Khadija Ek bartan le kar Abhi aane wali hai'n, Us Bartan me Saalan hai, Jab Wo Aaye'n to Unhe unke Rab ki taraf se aur meri taraf se Salam keh dijiyega aur unhe ye Khush Khabri Sunaiyega k Allah Ta'ala ne Motiyo'n se bana hua ek Mahal Jannat me unhe ata farmaya hai, Usme na kisi qism ka Shor hoga, na Pareshani_,"*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ne Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki zindgi me doosri Shadi ka kabhi khayal tak nahi farmaya, Aapki wafat ke baad bhi Aap unka zikr bahut Muhabbat se farmate they, Aapki Saheliyo se bhi bahut Shafqat ka bartaav karte, Har moqe per Unka khayal rakhte, Aksar unki tareef farmate Yaha'n tak k Aap ﷺ ki Azwaaj Mutahraat ko rashq aane lagta, Aap koi bakri zibeh farmate to uska gosht Hazrat Sayyada ki Saheliyo ko bhi bhijwate _,"*

*★_ Aapki Wafaat ki khabar sun kar Makka Muazzama ke log Ranj v Gam ke Samandar me doob gaye, Har Shakhs ki zuban per unhi ka zikr tha, Unhone kabhi kisi ko takleef nahi pahunchayi thi, Kabhi Zubaan se esa lafz nahi nikala jo kisi ki Dil Shikni ka Sabab banta, Aap ﷺ ki takaleef ko dekh kar wo kabhi mayoos na hoti'n, Aap ﷺ ki hosla Afza'i karti'n, Doosre logo ko takaleef pahunchayi jati to Aap unhe bhi hosla dilati, Unhe Yaqeen dilati k Allah hamare saath hai,, Makka me kisi Zubaan per bhi unki burayi nahi thi, Har Shakhs unki tareef karta tha,*

*★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ko Hujoon ke Qabristan me dafan kiya gaya, Dafan ke waqt Aap ﷺ khud Qabr me utre, Inteqal ke waqt unki Umr 63 saal thi, Us waqt tak Namaze Janaza ka hukm nahi aaya tha,*
 *★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha Nabi Kareem ﷺ se Shadi ke baad 25 saal tak zinda rahi'n, Yani itni Taveel muddat tak Aapne Aan Hazrat ﷺ ka saath diya, Jab Aap bimaar thi'n to ek Din Aan Hazrat ﷺ Aapke paas tashreef laye aur farmya :- Jo kuchh maine Tumhare liye dekha hai, Kya tum usse khush nahi, Allah Ta'ala na pasandidgi me bhi khayr farmane wala hai, Yani hamari judayi ke is gam me bhi khayr hai, Tumhe maloom nahi Allah Ta'ala ne mujhe khabar di hai k usne Jannat me tumhare saath saath Mariyam bint Imraan yani Maseeh Alaihissallam ki Walida, Moosa Alaihissallam ki behan Kulsoom aur Firoan ki Bivi Aasiya se meri Shadi ki hai ( yani ye Jannat me Tumhari Saathi ho gayi'n ),*

*★_ Ye Sun kar Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Kya Allah Ta'ala ne Aapko is baat ki khabar bhi di hai _," Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n !" Is per Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne kaha :- Allah Ta'ala muhabbat v Barkat ata farmaye _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ne Aapse ye bhi farmya :- Jannat Tumhare Didaar ki Mushtaq hai, Tamaam Ummahatul Momineen se Tum behtar ho, Tum tamaam Aurto'n se Afzal ho, Tum Mariyam bint Imraan aur Firoan ki Bivi Aasiya se zyada buzurg ho _,"*
*"_ Aap ﷺ ki tamaam Aulaad Sivaye Ibrahim Raziyallahu Anhu ke Sayyada Khadija Raziyallahu Anha se hui, Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke Yaha'n Sabse pehle Qasim Raziyallahu Anhu paida hue, Fir Zainab Raziyallahu Anha, Fir Ruqayya Raziyallahu Anha, Fir Umme Kulsum Raziyallahu Anha aur fir Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, Ye tamaam Nabuwat se pehle paida hue'n, Unke baad Abdullah paida hue, Tayyab aur Taahir inhi ke laqab they, Bahar haal is per sabka ittefaq hai k bete Bachpan hi me Faut ho gaye they, Betiya'n jawan hui'n aur unki Shadiya'n hui'n aur unse Aulaad hui'n,*

*★_ Aan Hazrat ﷺ ki tamaam Aulaad ka Silsila Nasab Hazrat Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha per Khatm hota hai, Aap Apni Zindgi me Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke liye dua karte rahe, Unki mojoodgi me doosri Shadi nahi ki, Aapne unhe Tamaam Aurto'n se Afzal qaraar diya ( baaz Rivayaat ki ru se Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ko Afzal qaraar diya ), Jibrai'l Alaihissallam ne Allah Ta'ala ka Salam Aapke zariye Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ko pahunchaya, Sayyda ne Apna saara maal Allah ke Raaste me kharch kar diya, Aapne Nabi Kareem ﷺ ka intehayi takleef dah halaat me saath diya, Allah ki un per Karodo rehmate Ho'n _,"*

*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
        *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments