UMMAHATUL MOMINEEN MUKAMMAL (ROMAN)

 

⚂⚂⚂.
    

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

    *⚂ HAZRAT KHADIJA RAZ. ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                 

*❥_ Ek Roz Hamare Payare Nabi ﷺ Apne Chacha Ki khidmat me haazir hue to unhone kaha :- Bhatije ! Mai'n ek gareeb Aadmi hu'n, Mere Halaat bahut Sakht hai'n, Bahut Tangi me Din guzar rahe Hai'n, Yaha'n ek Maldaar khatoon hai'n, Wo Apna Tijarat ka Samaan Shaam vagera ki taraf bhejti hai'n, Ye Kaam Wo Tumhari Qaum ke yani Quresh ke logo se leti hai'n, is tarah wo log uske maal se Tijarat karte hai'n, Khud bhi nafa haasil karte hai'n aur us khatoon ko bhi nafa haasil hota hai, Mera mashwara ye hai k tum unke Paas jao, is baat ka imkaan hai k wo tumhe Apna maale Tijarat de de, Wo Tumhe jaanti hai'n, Tumhari Sadaqat aur Pakizgi ke bare me unhe ilm hai _,"* 


*❥_ Huzoor Nabi   Kareem ﷺ ne Apne Chacha ke mashware per Amal kiya, Us Khatoon ki taraf chal pade, Abu Taalib ne Apni Baa'ndi Nabi'a ko unke pichhe bhej diya, Wo ye jaanne ke liye bechain they k waha'n kya hota hai, Wo Khatoon Aapse kese pesh aati Hai'n _,*

   

*❥_ Ye Khatoon Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma thi'n, Wo Aapse Khanda Peshani se mili, Aapko izzat se bithaya, Dar Asal Aapke bare me bahut kuchh jaanti thi'n, Aap ﷺ ke bare me jo baate waha'n ke maa'shre me fail chuki thi wo bhi un tak pahunchi thi, Isliye is mulaqaat se pehle hi Aap se mutassir ho chuki thithi'Offi


*❥ Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ka Talluq Khandane Quresh se tha, Aapke waalid ka naam Khuwaild bin Asad bin Abdul Uzza tha, Ye Abde Munaaf ke Bhai they aur Abde Munaaf Huzoor ﷺ ke Daada'o me se they, Abdul Uzza aur Abde Munaaf Ke Waalid Qusa'i bin Kilaab they, is tarah Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ka silsila Nasab Chothi Pusht me Aap ﷺ se ja milta hai _,"*


*★_ Aapke Waalid Khuwaild Zamana Jaahiliyat me Arbo'n ke Sipah Salaaro me se they, Fujaar ki Ladayi me Apne Qabile ki qayadat ki thi, Jab Tab'a Hajre Aswad ko Ukhed kar Yaman le gaya to usko waapas lane me Khuwaild ki koshish ka dakhal tha, _,*


*★_ Khuwaild ki Aulaad bahut thi, Unme Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma Sabse zyada Mash'hoor hai'n, Aapki Walida ka naam Fatima bint Zaa'idah bin Al Asam bin Aasim bin Luwa'i hai Aur Naani ka naam Haala bint Abde Munaaf hai, _,*


*★_ Aapke Waalid Khuwaild bahut Ba izzat Aadmi they, Quresh me Unhe Ahatraam ki nigaah se dekha jata tha, Makka me rehte they, Fatima bint Zaa'idah se Shadi hui aur unse Haathiyo wale saal ( Abraha ke hamle ka saal ) se 15 saal pehle Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma paida hui'n, Jinke Muqaddar me Pehli Ummul Momineen hona likha ja chuka tha_,"*

*★_ Aapne Khaate Peete gharane me Parwarish payi, Tareekh ki kitaabo me Aapke Bachpan ke halaat nahi milte, itna zaroor milta hai k Aap bahut Khuda Turs thi'n, Gareebo ko khana khilati thi'n, Zarurat mando ki madad karti thi'n, Allah Ta'ala ne unhe ek khaas muqaam ke liye chun liya tha,*


*★_ Aapke Ek Chacha Zaad Bhai Warqa bin Nofal they, Ye Toraat aur injeel ke bahut bade Aalim they, Mazhab ke aitbaar se iysaai they, Hazrat Khadija ke Waalid inse Apni Beti ki shadi karna chahte they, Lekin kisi vajah se ye nikaah na ho saka aur Aaapki Shaadi Ateeq bin Aabid bin Abdullah bin Umar bin Makhzoom se ho gayi, Baaz Rivayaat ki ru se pehli Shaadi Abu Haala bin Banash Tamimi se hui _,*


*★_ Ateeq bin Aabid se Aapke Yaha'n ek Bachcha Abdullah paida hua, Uske baad Ateeq bin Aabid ka inteqal ho gaya, Aapki Bevgi ko zyada Arsa nahi guzra tha k Abu Haala bin Banash ne nikaah ka paigaam diya, Is tarah Aapki doosro Shaadi Abu Haala se hui, Abu Haala se Aapke Yaha'n Do bete Hind aur Haaris aur ek Ladki Zainab paida hui,*


*★_ Fir Fujaar ki Ladayi me Aapke Waalid wafaat pa gaye, Unke baad Aapke doosre Shohar ne wafaat payi, Baap aur Shohar ki wafaat ki vajah se Aapko mushkilaat ka Saamna karna pada, Bachcho ki dekh bhaal ab unhi ke zimme thi, Quresh ke Kai nojawano ne Aapko Shadi ka paigaam bheja lekin Aapne Bachcho ki vajah se inkaar kar diya, Aapne Soch liya tha k Bachcho ki tarbiyat Kare'ngi aur Shaadi nahi Kare'ngi,* 8-9


Aapke Khandaan ka pesha chunki Tijarat tha, isliye Aapne bhi yahi pesha Akhtyar kiya, Lekin Chunki Aurat thi'n isliye Apna Maal doosre logo ko de deti thi'n, Wo Doosre Mulko me maal le jate, is tarah nafe me se unhe Apna hissa mil jata tha,*


*★_ Bahut Jald Aap Makka ki Mash'hoor Taajir ban gayi'n, Ek khaas baat ye hai k doosro ki tarah Aap Buto'n ko nahi poojti thi'n, Baaz qareebi logo ne unse kaha bhi k Aap ghar me ek But rakh le'n, Ye Sun kar Aap hamesha muskura diya karti, Aap Achchhi tarah jaanti thi'n k in Buto'n ki kya haisiyat hai, Unhe ilm tha k ye Patthar ke But to kisi ko nafa pahunchane ki taaqat rakhte hai'n na nuqsaan pahunchane ki,*


*★_ Unhone Kai martaba Apne Bhatije Hakeem bin Hizaam ko bhi Buto'n ke qareeb jane se roka, Woh unse farmaya karti thi'n :- Apne Maal ko Gareebo aur Miskeeno per kharch kiya karo, isse Allah khush hota hai _,"*


*★_ Aap Apne Chacha Zaad Bhai Warqa bin Nofal se Aasmani kitaabe Toraat aur injeel suna karti thi'n, un Kitaabo ka sunna Aapko bahut Achchha lagta tha, Warqa bin Nofal unhe bataya karte they k Allah ke ek Rasool aane wale Hai'n aur unhi me aane wale hai'n, Allah Ta'ala unhe logo ki hidayat ke bhejenge, Unki Qaum unki mukhalfat per dat jayegi, Lekin Aakhir unhe galba haasil hoga _,"*

: *★_ Hazrat Khadija ye baate sunti to khwahish karti, Kaash wo Allah ke Rasool ka Didaar kar sake'n, Unke Dil me ye khwahish bhi sar ubharti thi k unhe us Rasoole Arabi ki pervi Naseeb Ho jaye aur ye unki har mumkin madad Kare'n,*


*★_ Aakhir Tijarati Qafile ki rawamgi ke Din aa gaye, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Apna Tijarati maal Aap ﷺ ke Hawale kar diya, Saath hi Aapne Apne Gulaam Maysrah ko Aapke Saath rawana kiya aur unhe hidayat di :- Khabardaar ! Unki na farmani na karna aur na unki kisi raay se ikhtilaf karna _,"*


*★_ Isse maloom hua, Aapne Maysrah ko Aapki nigrani karne ke liye nahi bheja tha, balki Aap ﷺ ka har tarah khayal rakhne aur khidmat guzari ke liye bheja tha,*


*★_ Wo Tijarati Qafila 16 Zihhijja ko rawana hua, Aap ﷺ ke Chacha Aapko Alvida kehne ke liye aaye, Aur Fir wo Qafila rawana hua, Jisme Wo Hasti thi jo Allah Ta'ala ki saari Makhlooq se Afzal aur Aala thi, Allah Ta'ala us Hasti ki nigahbani farma rahe they, us Qafile ki ek khaas baat ye thi k Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ke maal Bardarao'n ki tadaad baqi tamaam logo ke oun'to ki majmui tadaad se zyada thi, Aakhir Ye Qafila Shaam ke Shehar Basra pahunch gaya, Qafile ne ek Girje ke qareeb padaav daala _,"*

: *★_ Aap ﷺ ne Apne Bachpan me Apna Chacha Abu Taalib ke saath hi ek Tijarati Safar kiya tha, Us Safar me bhi Aap isi Girje ke qareeb utre they, Us Waqt Yaha'n Aapki mulaqaat ek Paadri se hui thi, Uska Naam Bahirah tha, Lekin Ab jab Aap Yaha'n utre they to is Girje ka Paadri Nastoora tha aur Dono Safaro ke darmiyani muddat 13 Saal thi, Pehle Safar me Aapki Umar 12 saal thi aur Ab Aap 25 Saal ke ho chuke they,*


*★_ Nastoora ki nazar Aap ﷺ per padi to wo tezi se Aapki taraf bada, Qafile ke logo ne use tezi se Aapki taraf badte dekha to unhe khayal hua k ye kisi buri niyat se aa raha hai, Lihaza unme se ek ne foran Talwaar Soa'nt li aur chilla utha :- Ey Quresh ! Ey Quresh !*


*★_ Chaaro taraf se log daud pade, Ye dekh kar wo Dar gaya aur Dar kar Girje me dalhil ho gaya, Girje ka darwaza band kar ke usne ek Khidki kholi aur pukara :-*

*"_ Ey logo ! Tum kis baat se dar gaye ye dekho mere paas ek Tehreer hai, Qasam hai us zaat ki Jisne Aasmano ko bager Sutoon ke utha diya, Mai'n is Tehreer me likha hua paata hu'n k is Darakht ke niche utarne wala Shakhs Rabbul Aalameen ka paigambar yani Allah ka Rasool hoga, Jise Allah Ta'ala nangi Talwaar aur zabardast imdaad ke saath zaahir farmayaenge, Ye Khatimun Nabiyyeen hai'n, Unke baad koi Nabi aane wala nahi, Ab jo shakhs unki ita'at aur farmabardaari karega wo nijaat payega aur jo unki na farmani karega, wo zaleel v khwaar hoga _,"*


*★_ Doosro Rivayaat me ye Waqia is tarah likha hai k wo Girja se bahar aaya aur bola :- Ye kon Sahab hai'n Jo is Darakht ke niche tashreef farma hai'n ? Jawab me Maysrah ne kaha :- Ye Makka ke ek Qureshi Jawan hai'n_,"*

*"_ Ab Raahib ne Aapko Aur qareeb ja kae dekha, fir Aapke Sar aur Qadmo ko bosa dene ke baad bola :- Mai'n Aap per imaan le aaya hu'n aur Mai'n gawahi deta hu'n k Aap wohi hai'n Jinka Zikr Allah Ta'ala ne Toraat me kiya hai _,"*

*"_ Fir usne Muhare Nabuwat ko dekha aur chooma, fir bola :- Mai'n gawahi deta hu'n k Aap Allah ke Rasool hai'n, Nabi Ummi hai'n, Jinki Aamad ki Basharat Hazrat Iysaa Alaihissallam ne di hai _," ( Seerat Halbiya )*


*★_ Aap us waqt jis Darakht ke niche Araam farma they, Uske bare me Nastoora ne kaha :- is Darakht ke niche Nabi ke siva koi nahi utra _,"*

*★_ Garz is waqie ke baad Aan Hazrat ﷺ Qafile ke logo ke saath Bazaare Basra Tashreef laye aur Samaane Tijarat farokht kiya, Kuchh Maal Kharida, Ese me ek Shakhs Aapse Jhagad pada, Usne kaha :- Laat v Uzza ki qasam khao _," uski baat ke jawab me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- maine in teeno ke naam per kabhi Halaf nahi uthaya _,"  Wo Shakhs bhi galiban koi Aalim tha, Usne Aapki taraf gor se dekha aur pehchan kar bola :- Aap theek kehte Hai'n _,"*

*"_ Iske baad ye Shakhs Maysrah se mila, Use Qadre Faasle per le gaya aur kehne laga :- Qasam hai us zaat ki ye Wohi hai'n Jinka Zikr hamare Raahib Kitaabo me paate Hai'n _,"*


*★_ Maysrah ne uski baat ko gor se suni aur use Apne dimaag me mehfooz kar liya, Basra Pahunchne se pehle ek Waqia aur pesh aaya tha, Qafile ke Do oun'to bahut zyada thak gaye they aur Chalne ke qabil nahi reh gaye they, In oun'to ki vajah se Maysrah bhi Qafile se pichhe reh gaya, Us waqt Aan Hazrat ﷺ Qafile ke Agle hisse me they, Maysrah ne oun'to ke bare me pareshani mehsoos ki, Saath hi use ye fikr hui k wo khud bhi Qafile se pichhe reh gaya hai, Chuna'nche wo daudta hua Qafile tak pahuncha aur Agle hisse me Mojood Aap ﷺ ke paas aaya , Apni pareshani ke bare me Aapko bataya, Aap uske saath un dono oun'to ke paas tashreef laye, Unki Kamaro per Apna Haath faira, Kuchh pad kar un per dam kiya, iska Fori tor per Asar hua, Ount foran khade ho gaye aur fir is qadar tez chale k Qafile ke Agle hisse me pahunch gaye aur Apni chusti aur tez chalne ka izhaar moo'nh se Awaaz nikaal kar karne lage ,*


*★_ Fir Tijarat ka kaam shuru hua, Qafile ka maal farokht kiya gaya aur kuchh maal kharida bhi gaya, is Kharid farokht me Aan Hazrat ﷺ ne itna nafa kamaya k pehle kabhi itna nafa nahi kama sake they, Chuna'nche Maysrah ne Aapse Kaha :- Ey Muhammad ! Hum Barso se Khadija Raziyallahu Anhuma ke liye Tijarat kar rahe Hai'n lekin itna zabardast nafa hume kabhi haasil nahi hua _,"*


*★_ Aakhir Tijarat Se faarig ho kae Qafila waapas rawana hua, Raaste me Maysrah ne ek baat ye not ki k Jab Dopahar ka waqt hota tha aur garmi zoro per hoti thi aur Aan Hazrat ﷺ Apne Ount per sawaar hote they to Aap per Ek Badli Saaya kiye rehti thi ,*

: *★_ is tarah Allah Ta'ala ne Maysrah ke dil me Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke liye bahut muhabbat paida kar di, is Safar me usne Qadam ba Qadam Aapki Neki Sharafat Sachcha'i aur Dayanat daari ka muzahira kiya aur fir to yu'n mehsoos hone laga Jese Maysrah Khud Aapka gulaam ho ,*


*★_ Aakhir Qafila Marzohraan ke muqaam per pahuncha, Ye Makka aur Asfaan ke Darmiyan ek vaadi hai, Ab iska naam Vaadi E Fatima hai, Yaha'n Pahuch kar Maysrah ne Aan Hazrat ﷺ se arz kiya :- Kya Aap pasand farmayaenge k Aap Khadija Raziyallahu Anhuma ke paas humse pehle pahunch jaye'n aur unhe Tamaam halaat bataye'n k is martaba Tijarat me kis qadar zyada nafa hua hai, Mumkin hai wo ye baat sun kar Aapke mu'awze me izaafa kar de'n aur do jawaan oun'to ke bajaye Aapko teen ountniya'n de'n _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ne Maysrah ke is mashware ko qubool kar liya, Apni ountni per Sawaar ho kar Marzohraan se aage rawana ho gaye, Aap Dopahar ke waqt Makka  Muazzama me dakhil hue, Us Waqt Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma Apne Makaan ke Ouper wale hisse me bethi thi'n, Aap ﷺ Makka Muazzama me dakhil hue to Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Aapko door se dekh liya, Aap Ount per sawaar they aur ek Badli Aap per Saaya kiye hue thi, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne khud to ye manzar dekha hi, Apne paas bethi doosri Aurto'n ko bhi dikhaya, Wo Sab bhi ye manzar dekh kar bahut Hairaan hui'n_,"*


*★_ Aakhir Aap Khadija Raziyallahu Anhuma ke paas pahunche, Unhe Tijarat me munafe vagera ke bare me bataya, Ye nafa us nafe se doguna tha jo pehle Aapko haasil ho raha tha, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma is Munafe ka haal jaan kar bahut khush hui'n, fir unhone puchha :- Aur Maysrah Kaha'n hai ? Aapne bataya :- maine unhe Jungal me pichhe chhoda hai, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne kaha :- uske paas jaye'n taki wo jald az jald Yaha'n Pahunch jaye _,"*


*★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Aapko waapas isliye bheja k wo dekhna chahti thi'n, Thodi der pehle jo Badli Aap per Saaya kiye hue thi Kya Ab bhi wo Badli Aap per Saaya karti hai ya wo sirf ek ittefaq tha, Aap waapas rawana hue to Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma chhat per chad gayi'n aur Aapko dekhne lagi, Unhone dekha k Wo Badli ab bhi Aap per Saaya kiye hue thi aur usi Shaan se Chale ja rahe they Jis Shaan se tashreef laye they _,*

: *★_ Kuchh der baad Aap ﷺ Maysrah ke saath waapas tashreef laye, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Maysrah se wo kaifiyat bayan ki jo Aapne dekhi thi, Maysrah foran bol pada :- Mai'n ye manzar us waqt se dekhta raha hu'n jab hum Shaam se rawana hue they, iske baad Maysrah ne Nastoora Raahib se mulaqaat ke bare me bataya aur jisse kharid farokht ke waqt jhagda hua tha usne jo bataya tha wo saari baat bhi batayi, Do oun't jo pichhe reh gaye they unka Waqia bhi sunaya, Ye tamaam Waqiaat sunne ke baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ne Tay Shuda ujrat se doguna ujrat Aapko di, Jabki pehli ujrat bhi doosre logo ki nisbat doguna thi, Fir waapsi per Aap ﷺ waha'n se kapda kharid kar laye they usme bhi bahut nafa hua,*


*★_ in Tamaam Waqiaat ne Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ko had darja mutassir kiya, Aapko Aan Hazrat ﷺ se bahut lagaav paida ho gaya, Chuna'nche Aapne Apni ek Azeez Nafisa bint Munayya ko Aap ﷺ ki khidmat me khufiya tor per bheja, Usne Aapke paas aa kar kaha :- Ey Muhammad ( ﷺ ) Aap shadi kyu nahi kar lete ? Jawab me Aap ﷺ ne farmaya :- Bhala mere paas kya hai k shaadi kar saku'n _," usne kaha :- aur Agar Aapko iski zarurat hi na pade balki Aapko maal v Daulat izzat husno Jamaal sab kuchh mil jaye to kya Aap Qubool kar lenge ?*


*★_ Nafisa ki baat ka matalab ye tha k Agar esi koi Khatoon jisme Sharafat Paakbaazi vagera tamaam khoobiya'n mojood ho aur maal v Daulat bhi jiske paas ho aur wo khud hi Aapko Nikaah ki dawat de to kya Aap Maan lenge _,"*

*Aapne ye sun kar puchha :- aur wo kon Khatoon hai'n ? Usne kaha - Wo Khadija bint Khuwaild hai _," Aap ﷺ ne puchha :- un tak meri rasaa'i kese hogi ?, Ye kehne se Aapka matlab ye tha k Mai'n ek gareeb Aadmi hu'n aur wo bahut Maaldar hai'n, is per Nafisa ne kaha :- iska zimma Mai'n leti hu'n ,*


*★_ Aapne Razamandi zaahir kar di, is tarah Shadi ki Tareekh tay ho gayi, Mukarrarah Tareekh per Qabile ke Ra'ies, Makka Muazzama ke Shurfa aur Umra jama hue, Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma ki taraf se unke Chacha Amru bin Asad Vakeel they, Aap ﷺ ki taraf se Aapke Chacha Abu Taalib Vakeel they, is tarah Aap ﷺ ki Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma se shadi anjaam payi, Ye Aap ﷺ ki pehli shadi mubarak thi, Us waqt Aapki Umr Mubarak 25 saal aur Sayyada Khadija Raziyallahu Anhuma ki Umr 40 saal thi,*


*★_ Nikaah ke baad Aap ﷺ ne Walime ki dawat di, Aapne 2 Oun't zibah farmaye, Us Roz Abu Taalib bhi bahut khush they, Unhone is moqe per kaha :- Allah Ta'ala ka shukr hai k usne Musibato aur gamo ko humse door kar diya_,"*

: *★_ Aap ﷺ se pehle Quresh ke bahut se log Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko Shadi ka paigaam de chuke they, lekin Aap har martaba inkaar karti rahi'n thi'n, Isliye k Allah Ta'ala ne Aapka Rishta Aan Hazrat ﷺ se likh diya tha, Shaadi ke baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne Apni Saari Daulat Aapke Qadmo me dhayr kar di, Aapko uska Maalik bana diya aur Khud Aap ﷺ ki khidmat me Din Raat lagi rehne lagi'n,*


*★_ Ab Jo'n Jo'n Aap ﷺ ki Umar 40 saal ke qareeb Pahuch rahi thi, Elaane Nabuwat ka waqt qareeb aa raha tha, Aapka waqt zyadatar tanha'i me basar hone laga tha, Fir Aap Gaare Hira me jane lage, Tanha'i me Aapko ek Awaaz sunayi deti :- Ey Muhammad ! Ey Muhammad !*

*Aur kabhi ek noor nazar aata، Ye Noor Aapko jaagne ki haalat me nazar aata, Aap khof sa bhi mehsoos karte aur farmate :- Mujhe Dar hai k is soorate haal ke peshe nazar koi baat na pesh aa jaye,*


*★_ Aapki is baat ke jawab me Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aapse farmati :- Hargiz nahi ! Allah Ta'ala Aapke saath esa kuchh nahi karega, Kyunki khuda ki qasam ! Aap Amanat ada karne wale hai'n, Rishtedaro ki khabar giri karne wale hai'n aur hamesha sach kehne wale hai'n_,"*


*★_ In dino Aapko Tanha'i bahut Mehboob ho gayi thi, Tanha'i ke liye hi Aap Gaare Hira me chale jate they, Jab khane ki cheez khatm ho jati to Aap waapas Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke paas aa jate, Khana le lete aur fir Gaare Hira tashreef le jate they, Gaare Hira se waapas aate to khana kaaba me bhi tashreef le jate, Tawaaf karte, fir ghar tashreef le jate,*

: *★_ Aakhir wo Raat aa gayi Jab Aapko Nabuwat aur Risalat milne wali thi, Aap ﷺ farmate hai'n ( jiska mafhoom hai) :- Mai'n so raha tha, mere paas Jibrai'l Alaihissallam ek reshmi kapda liye hue aaye, Usme ek kitaab thi, Yani ek Tehreer thi, Unhone mujhse kaha :- iqra yani padhiye _,*

*Maine kaha :- Mai'n nahi padh sakta, Yani Mai'n anpadh hu'n, padh likh nahi sakta_,"*


*★_ is per unhone mujhe apne seene se laga kar us reshmi kapde samet is tarah bhee'ncha k wo kapda mere naak aur moo'nh se chhoo raha tha, Unhone mujhe is zor se bhee'ncha k mujhe khayal aaya k kahi'n meri maut na waqe ho jaye, iske baad unhone mujhe chhod diya aur fir kaha :- Padhiye ! Yani us likhe hue ke bajaye wese hi padho, Yani jo Mai'n kahu'n wo kahiye, is per maine kaha :- Mai'n kya padhu aur kya kahu'n _,"*


*★_ Ab Unhone kaha :-*

*"_ اِقۡرَاۡ بِاسۡمِ رَبِّكَ الَّذِىۡ خَلَقَ‌ۚ ۞ خَلَقَ الۡاِنۡسَانَ مِنۡ عَلَقٍ‌ۚ‏ ۞ اِقۡرَاۡ وَرَبُّكَ الۡاَكۡرَمُۙ ۞ الَّذِىۡ عَلَّمَ بِالۡقَلَمِۙ ۞ عَلَّمَ الۡاِنۡسَانَ مَا لَمۡ يَعۡلَمۡؕ ۞*

*(Tarjuma)_ Ey paigambar ! Aap per jo Qur'an ( naazil hua karega ) Apne us Rab ka naam le kar padha kijiye ( yani jab padhe: Bismillahir Rahmanir Raheem keh kar padha kijiye) Jisne Makhlooqaat ko paida kiya Jisne insaan ko khoon ke lothde se paida kiya, Aap Qur'an padha kijiye, Aapka Rab bada Kareem hai ( Jo chahta hai ata farmata hai aur esa hai ) jisne ( padhe likho ko ) qalam se taleem di ( aur ) insaan ko ( umooman doosre zaraye se ) un cheezo ki taleem di jinko wo nahi jaanta tha _," ( Surah Alaq )*

[5/21, 8:50 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ farmate hai'n ( jiska mafhoom hai) :- Maine in Ayaat ko usi tarah padh diya, Iske baad Jibrai'l Alaihissallam mere paas se chale gaye, Iske baad lagta tha, Goya mere dil me ek Tehreer likh di gayi hai, Mai'n gaar se nikal kar ek taraf chala, Jab Mai'n pahaad ke ek jaanib pahuncha to Maine Aasman se aane wali ek Awaaz suni, Wo Awaaz keh rahi thi :- " Ey Muhammad ! Aap Allah ke Rasool hai'n aur Mai'n Jibrai'l hu'n_,"*

*"_ Mai'n Wahi'n ruk kar Awaaz ki taraf dekhne laga, Achanak maine Jibrai'l Alaihissallam ko insaani shakl me dekha, Wo khade hue they, Wo keh rahe they :- " Ey Muhammad ! Aap Allah ke Rasool hai'n aur Mai'n Jibrai'l hu'n_,"*


*★_ Mai'n Wahi'n ruk kar Awaaz ki taraf dekhne laga, Maine un per se nazar hata kar Aasman ki taraf dekha Magar saamne Jibrai'l hi nazar aaye, Mai'n isi haalat me der tak khada raha, Udhar Khadija Raziyallahu Anha ne mere liye khana taiyaar kiya tha aur khana gaar me bhijwaya lekin Mai'n gaar me nahi tha, Jab ye khabar Khadija Raziyallahu Anha ko mili to unhone meri talash me Chachao'n aur Mamuo'n ke ghar Aadmi bheje magar Mai'n kisi ke Yaha'n bhi nahi mila, Is per wo pareshan ho gayi'n, Abhi isi pareshani me thi'n k Mai'n Achanak unke paas pahunch gaya, Maine unhe saara Waqia sunaya, Unhe Jibrai'l Alaihissallam ke bare me bataya, Jo Awaaz suni thi uske bare me bhi bataya,*


*★_ Saari baat sun kar Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne farmaya :- Aapko khush khabri ho ho, Aap Yaqeen kijiye, Qasam hai us zaat ki jiske qabze me meri jaan hai, Mujhe Ummeed hai, Aap is Ummat ke Nabi hai'n _,"*


*"_ Iske baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Apne Chacha Zaad Bhai Warqa bin Nofal ke paas gayi'n, Wo iysaai Aalim they, Unhe Saara Waqia sunaya, Warqa bin Nofal ye saara Waqia sun kar pukaar uthe :-Agar Tum sach keh rahi ho to isme koi shak nahi k unke paas wahi namoose Akbar yani Jibrai'l Alaihissallam aaye hai'n Jo Moosa Alaihissallam ke paas aaya karte they, isliye Mai'n ye baat Yaqeen se keh sakta hu'n k ye is Ummat ke Nabi hai'n _,"*


*★_ Warqa bin Nofal ko Jibrai'l Alaihissallam ka naam sun kar isliye tajjub hua k Makka aur Arab ke doosre Shehro me logo ne ye naam suna bhi nahi tha, Garz iske baad Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aap ﷺ ke paas waapas aayi'n aur Warqa bin Nofal ne jo kuchh kaha tha, wo Aap ﷺ ko bataya,*

: *★_ Unhi dino Aap ﷺ Baitullah ka Tawaaf karne ke liye aaye, Tawaaf ke dauran Aapki mulaqaat Warqa bin Nofal se ho gayi, Wo bhi us waqt Tawaaf kar rahe they, Unhone khud Aapke moo'nh se wo Waqia sunne ki khwahish ki, Aapne unhe bhi bataya k kis tarah Jibrai'l Alaihissallam unke paas aaye, Saara Waqia sun kar Warqa bin Nofal ne Apna moo'nh jhukaya aur Aapke Sar ke Darmiyan bosa diya, Uske baad Rasulullah ﷺ Apne Ghar lot aaye,*


*★_ Pehli wahi ke bare me ye tafseel bhi Ulma ne likhi hai k Aap per us waqt ghabrahat taari hoti thi, Aap Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke paas tashreef laye to farmaya :- Mujhe Kambal udha do, Mujhe Kambal udha do_,"*

*"_ Chuna'nche Unhone foran Aap per Kambal daal diya, Yaha'n tak k Aap ﷺ ki ghabrahat door ho gayi, Fir Aapne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se farmaya :- Mujhe Apni jaan ka khof paida ho gaya hai _,"*


*★_ is per Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne farmaya :- Hargiz nahi ! Aapko khush khabri ho, Allah Ta'ala Aapko Hargiz Hargiz ruswa nahi karega, Kyunki Aap Rishtedaro ki khabar giri karte hai'n, Sachchi baat kehte Hai'n, Doosro ke liye musibat aur pareshaniya uthate hain, Bekas mufliso ki imdaad karte hai'n, Mehmano ki mehman Nawaziya karte hai'n aur Nek kaamo me logo ki madad karte hai'n, is maamle me Aap ke liye khayr hi Khayr hai _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ko Nabuwat milne ke baad Sabse pehle imaan lane wali Hasti Hazrat Khadija Raziyallahu Anha hi hai'n _,"*

: *★_ Afeef Kundi ek Taajir they, Wo Makka me Tijarat ki garaz se aate rehte they, Ek martaba unki mulaqaat Tijarat ke silsile me ibne Abdul Muttalib se hui, Wo yaman se Atar la kar farokht kiya karte they aur Hajj ke mausam me Makka me farokht karte they, Afeef Kundi Baitullah me Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ke paas bethe they k Achanak ek nojawan qareeb ke khaime se nikla, Usne Sooraj ki taraf dekha, Jab Usne dekh liya k Sooraj magrib me jhuk gaya hai yani guroob ho gaya hai to usne bahut Achchi tarah Vazu kiya aur fir Namaz padhne laga, Fir ek ladka khaime me se nikla, Wo Baalig hone ke qareeb tha, Usne bhi Vazu kiya aur Nojawan ke barabar Khade ho kar Namaz padhne laga,*


*★_ Fir us Khaime me se ek Aurat nikli, Wo bhi un dono ke pichhe Namaz ki niyat baandh kar khadi ho gayi, Uske baad us Nojawan ne ruku kiya to wo Ladka aur Aurat bhi Ruku me chale gaye, fir Nojawan ne Sajda kiya to wo Ladka aur Aurat bhi Sajde me chale gaye,*


*★_ Afeef Kundi hairat se ye manzar dekh rahe they, Unhone Hazrat Abbaas se puchha :- Ye kya ho raha hai ? Unhone bataya :- Ye mere Bhai Abdullah ke Bete Muhammad hai'n, Ye Unka Deen hai, Unka Daava hai k Allah Ta'ala ne unhe Paigambar bana kar bheja hai, Ye ladka mera Bhatija Ali ibne Abi Taalib hai aur ye Muhammad ki Bivi Khadija hai _,"*

*"_ Afeef Kundi kehte Hai'n :- Kaash us waqt chotha musalman Mai'n hota _,"*


*★_ Ye Afeef Kundi baad me Musalman ho gaye they, us moqe per shayad Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu Mojood nahi they, Ye Aap ﷺ ke gulam they aur Aap us zamane me Aapke Saath ye bhi Namaz padha karte they, Ye Fir Hazrat Zaid us waqt tak Musalman nahi hue they,*


*★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Aurto'n me Sabse pehle musalman hui'n, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke baad jo Khawateen Sabse pehle musalman hui'n unke naam ye hai'n :- Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ki Bivi Umme Fazal Raziyallahu Anha, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Sahabzaadi Hazrat Asma Raziyallahu Anha aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Behan Umme Jameel Raziyallahu Anha, inka naam Fatima bint Khattab tha, Ye bhi Rivayat milti hai k Umme Ayman Raziyallahu Anha Umme Fazal se bhi pehle Musalman hui'n thi,*


*★_ Behar haal Tamaam Musalmano ka is baat per ittefaq hai k Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Sabse pehle Musalman hui'n thi, Unse Pehle na koi mard Musalman hua na koi Aurat, Matlab ye hai k Jab Aap ﷺ ko paigambari mili to Sabse pehle Aapne Khadija Raziyallahu Anha ko islam ki Dawat di aur Allah Ta'ala ki ibaadat ki taraf unki Rahnuma'i farmayi, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne bager kisi jhijhak ke islam ko qubool kar liya aur Sabqat le gayi'n, Tamaam pehal karne walo me pehal kar gayi'n,*

: *★_ Is silsile me ek Aalim likhte hai'n :- Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko sath liya aur us chashme per le gaye jo Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ke Paa'nv mubarak ki Barkat se gaare Hira ke paas namudaar ho gaya tha, Aap ﷺ ne us chashme per Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko Vazu ka Tareeqa bataya, Ye Tareeqa Aap ﷺ ko Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ne bataya tha, fir Aap ﷺ ne unhe Namaz padhna sikhaya _,*


*★_ Us waqt Aap ﷺ ne unse ye bhi farmaya tha :- Ey Khadija ye Jibrai'l hai'n, Allah Ta'ala ki taraf se tumhe Salam dene ke liye aaye hai'n_,"*

*"_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne Ye Sun kar Salam ka jawab diya, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha imaan le aayi'n to usi Roz Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Aap ﷺ ke ghar aaye, Us waqt Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki tarbiyat Aap ﷺ ke zimme thi, Wo Aapke ghar me dakhil hue to Aap ﷺ aur Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ko namaz padhte dekha, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Hairaan ho gaye aur bole :- Ye Aap kya kar rahe Hai'n ? Aap ﷺ ne farmaya :- Ye Allah ka Deen hai, Mai'n tumhe bhi iski dawat deta hu'n k Allah Ta'ala ke ek hone ki gawahi do, wo tanha hai, uska koi Shareek nahi, Mai'n tumhe Laat aur Uzza ( Buto) ko chhod dene ki dawat deta hu'n_,"*


*★_ Is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bole :- Maine is Deen ke bare me kisi se nahi suna, Mai'n Apne Waalid ke mashware ke bager koi kaam nahi karta, Agar ijazat ho to unse mashwara kar lu'n _,"*

*"_ is per Aap ﷺ ne farmaya :- Agar tumhara imaan lane ka iraada na bane to kisi doosre ko iske bare me na batana _,"*

*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne jawab diya :- Ji Achchha !*


*★_ Fir usi Raat Allah Ta'ala ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu per Dil khol diya, Subeh hui to Aap Rasoole Kareem ﷺ ki khidmat me haazir hue aur islam qubool kiya _,"*

: *★_ Hazrat Abu Bakar Siddiqu Raziyallahu Anhu ke bare me Ulma ne likha hai k Aap Nabi Kareem ﷺ ko Nabuwat milne se bhi pehle Aap per imaan la chuke they, Kyunki Yaman ke ek Budhe Aalim se unki Baat Cheet hui thi Usse wo Jaan chuke they k Aap ﷺ Allah ke Rasool hai'n, Wohi Rasool jinka Duniya ko intezar hai, Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu Jab Yaman me us Budhe Aalim ke paas ruke they to usne kaha tha :- mera Khayal hai tum Haram ke rehne wale ho ? Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne farmaya tha :- haa'n Mai'n Haram ka rehne wala hu'n, is per usne kaha tha :- Aur mera Khayal hai Tum Qureshi ho ? Aapne jawab diya :- haa'n Mai'n Qureshi hu'n , Fir usne kaha tha :- mera Khayal hai Tum Khandane Taymi ke ho ? Aapne jawab diya :- haa'n Mai'n Khandane Taymi se Hu'n, Fir usne kaha :- Ab Aapse ek sawal aur puchhna chahta hu'n, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne puchha :- aur wo sawal kya hai ? Usne kaha tha :- Apna Pet khol kar dikha do, is per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Ye Mai'n us waqt tak nahi karunga jab k tum iski vajah nahi bata doge _,"*


*★_ Us waqt usne kaha tha :- Mai'n Apne Sachche aur Mazboot ilm ki buniyad per khabar pata hu'n k Haram ke ilaaqe me ek Nabi ka Zahoor hone wala hai, Uski madad karne wala ek nojawan aur Pukhta Umar ka Aadmi hoga, Wo mushkilaat me kood jane wala aur pareshaniyo ko rokne wale hoga , Uska rang safed aur jism kamzor hoga, Uske pet per ek Baaldaar nishan hoga aur uski Baa'nyi raan per bhi ek Alaamat hogi _,"*

*"_ Ye kehne ke baad usne kaha :- Ab ye bhi zaroori nahi k tum mujhe Apna Pet khol kar dikhao kyunki tumme baqi Alamaat mojood hai'n _,"*


*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu kehte Hai'n k jab Mai'n Yaman me Apni Khareed Farokht ka kaam poora kar chuka to usse rukhsat hone ke liye uske paas aaya, Tab usne kaha - meri taraf se chand Sher sun lo, Ye Sher maine usi Nabi ﷺ ki shaan me kahe hai'n_," Maine kaha :- Sunao, Usne Wo Sher sunaye _,*

: *★_ Fir Mai'n Makka Mukarrama wapas pahuncha to Aan Hazrat ﷺ Nabuwat ka elaan kar chuke they, Foran hi mere paas Quresh ke bade Sardaar Uqba bin Abu Mu'iet, Shaiba, Rabia, Abu Jahal aur Abul Bakhtari vagera aaye aur kehne lage :- Ey Abu Bakar ! Abu Taalib ke yateem Bhatije ne ye Daava kiya hai k wo Nabi hai, Agar Aapka intezar nahi hota to hum is maamle me Sabr na karte, Ab Aap aa gaye hai'n isliye usse nibatna Aap hi ka kaam hai_,"*


*★_ Ye baat Unhone isliye kahi thi k Aan Hazrat ﷺ aur Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu qareebi dost they, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu kehte Hain :- Maine Achchhe andaz me taal diya aur khud Aan Hazrat ﷺ ke ghar pahunch gaya, Darwaze per dastak di, Aap ﷺ bahar tashreef laye, Aapne mujhe dekh kar farmaya :- Ey Abu Bakar Mai'n tumhari aur tamaam insaano ki taraf Allah ka Rasool bana kar bheja gaya hu'n, isliye tum Allah Ta'ala per aur uske Rasool per imaan le aao _,"*


*★_ Maine arz kiya :- Kya Aapke paas iska saboot hai ? Aan Hazrat ﷺ ne farmaya:- Us Budhe Aalim ke Sher jo usne tumhe sunaye they _," Maine hairaan ho kar arz kiya :- Mere Dost ! Aapko un ash'aar ke bare me kese pata chala ? Aap ﷺ ne farmaya :- Mujhe us azeem farishte ke zariye pata chala jo mujhse pehle bhi tamaam nabiyo ke paas aata raha hai _,"* 

*"_ Ab Maine arz kiya :- Apna haath Laye'n, Mai'n gawahi deta hu'n k Allah Ta'ala ke Siva koi ma'abood nahi aur Aap Allah ke Rasool hai'n _,"*


*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- mere islam ko qubool karne se Aapko betahasha khushi hui, Sab logo ke saamne Apne imaan lane ka elaan Sabse pehle Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne kiya tha, Sabse pehle imaan lane wali ki Tarteeb is tarah hai :- Mardo me sabse pahle Hazrat Abu Bakar Siddiq aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhum imaan laye, Aurto'n me sabse pahle Hazrat Khadija Raziyallahu Anha imaan layi'n, aur gulaamo me sabse pehle Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu imaan laye, Wo us waqt tak Baalig nahi hue they,*

 *★_ Ab Aap ﷺ ne Apne Aas paas ke logo ko islam ki Dawat shuru ki, is silsile me jo mushkilaat thi unke saamne Hazrat Khadija Raziyallahu Anha dat gayi'n, Apna Tan man aur dhan sab kuchh qurban karne per tul gayi'n,*


*★_ Aap ﷺ ki Sahabzaadi Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Shohar Abul Aas Gazwa Badar me giraftaar hue, Ye us waqt ki baat hai jab Mushriko se nikaah na karne ka hukm naazil nahi hua tha aur Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ki Shadi Abul Aas se ho chuki thi, Doosre Qaidiyo ki tarah inse bhi kaha gaya :- Aap bhi Fidiye ki raqam ada Kare'n taki Aapko riha kiya ja sake_," Unhone Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko paigaam bheja k unki Azaadi ke liye Fidiye ki raqam bhej de'n, Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko ye paigaam mila to Aap pareshan ho gayi'n kyunki us waqt Aapke paas koi raqam nahi thi, Albatta Shadi ke moqe per unhe jo jahez mila tha Usme Ek haar bhi tha, Unhone wohi Haar bhej diya, Wo Haar dar Asal Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ka tha,*


*★_ Jab ye Aap ﷺ ki khidmat me pesh kiya gaya to Aapne us Haar ko pehchan liya, Aapko Hazrat Khadija yaad aa gayi'n, Aapki mubarak Aan'kho se Aa'nsu jaar ho gaye, Aapko rote dekh kar  Sahaba Kiraam bhi rone lage, Unhone arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Aap ye haar beti ko waapas kar de'n, Fidiye ki raqam hum ada kar dete Hai'n_,"*

*"_ is waqie se saabit hai k Aap ﷺ ko Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se kis qadar Muhabbat thi,*


*★_ isi tarah Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Ek martaba Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ki behan Haala hamare Yaha'n aayi'n, Unhone ijazat talab karne ke liye Awaaz di, Unki Awaaz Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se bahut milti thi, Fir kya tha ye Awaaz sun kar Huzoor ﷺ ko Hazrat Khadija Raziyallahu Anha yaad aa gayi'n, Aap hairat aur masarrat ke aalam me pukaar uthe :- Ya Allah ! Ye to Haala lagti hai'n_,"*.

*"_ Us waqt maine Aap ﷺ se kaha :- Aap Quresh ki ek Budhi Aurat ko kyu har waqt yaad karte rehte hai'n, Unhe to faut hue bhi arsa ho gaya, Allah paak ne Aapko usse behtar Bivi ata farma di hai _," Ye Sun kar Aap ﷺ Jalaal me aa gaye, Yaha'n tak k Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ne naadim ho kar arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Mujhse galti ho gayi, Aainda Mai'n unka zikr achchhe Alfaaz hi me karungi _,"*

: *★_ Jab Bilkul nazdeek ke log Aap imaan la chuke to Allah Ta'ala ne hukm naazil farmaya :- Apne qareebi logo ko daraiye _,", ye hukm naazil hone per Aap ﷺ Kohe Safa per tashreef le gaye aur pukaar kar farmaya :- Ey Bani Abdul Muttalib ! Ey Bani Fahra aur Ey Bani Ka'ab ! Agar Mai'n tumse kahu'n k is pahaad ke pichhe dushman jama ho gaye aur tum per hamla karne wale hai'n to bata'o kya tum meri ittela ko durust samjhoge ? Aap ﷺ ki baat ke jawab me sabne kaha :- haa'n ! Hum Aapki baat ko durust samjhenge isliye k Aapne Jabhi jhoot nahi bola _,"*

*"_ is per Aapne farmaya :- To fir jaan lo ! Mere paas Tumhare liye sakht Azaab ki ittela hai _,"*


*★_ Abu Lahab ye sun kar sakht naraaz hua, usne bhinna kar kaha :- Tu hamesha barbaad rahe ... Kya tune bas yahi sunane ke liye bulaya tha ( na'uzubillah ), Fir log badbadate hue waapas lot gaye, Aap ﷺ ne tablig ka kaam jaari rakha, is per Quresh Shadeed mukhalfat per utar aaye, Aap ﷺ ko jab bhi Qureshe Makka ki taraf se Sadma pahunchta to Aap sidha Khadija Raziyallahu Anha ke paas tashreef late, Sayyada Khadija Aapki baato ki tasdeeq karti to Aapka Sadma door ho jata, Garz har mushkil waqt me Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ne Aapki khidmat me koi kasar utha na rakhi _,*


*★_ Jab islam Aahista Aahista failne laga to Quresh bahut Fikrmand hue, Unhone Abu Taalib ko bula kar kaha :- Ry Abu Taalib ! Agar Aapke Bhai ke bete hamare Deen ko aur Jin Buto ki hum pooja karte hai'n unko isi tarah bura kehte rahe aur Aap isi tarah unki madad karte rahe to hum samjhenge k Aapne bhi hamare muqable me sirf unki madad ki thaan rakhi hai, is soorat me hum jo kuchh bhi kare, fir shikayat na kare'n _,"*

*"_ Abu Taalib ne unhe Samjha bujha kar waapas bhej diya, idhar Aap ﷺ barabar Tablig karte rahe, is per Quresh fir jama hue, Abu Taalib ke paas aaye, Unhone kaha :- Agar Aapne ab bhi Apne Bhatije ko na roka to hamare aur Aapke darmiyan koi waasta nahi reh jayega aur ye bhi ho sakta hai k humme se koi  maara jaye _,"*


*★_ Abu Taalib ne Aap ﷺ se baat ki aur kaha :- Bhatije ! Apne Deen ke aitbaar se tum mujh per itna bojh na daalo k Mai'n utha na Saku'n _," unki baat ke jawab me Aapne farmaya :- Chacha Jaan ! Agar ye log mere ek haath per Surah aur doosre haath per Chaand rakh de'n aur mujhse kahe k jo kuchh Mai'n keh raha hu'n usse Baaz aa jao to bhi Mai'n esa hargiz nahi karunga, Chahe meri jaan kyu na chali jaye _,"*

*"_ Ye sun kar Abu Taalib ne kaha :- Bhatije ! Tum jo chaho karo, Mai'n Aainda tumhe nahi tokunga _,"*

*★_ Quresh ne bhi jaan liya k Abu Taalib is silsile me kuchh bhi karne ko taiyaar nahi hai to Wo ek baar fir jama ho gaye aur Abu Taalib se bole :- Ey Abu Taalib ! Aapke Bhatije ka ek hi ilaaj hai aur wo ye hai k use hamare hawale kar de'n taki hum use qatl kar de'n, Us ek ke na hone se Aakhir kya fark pad jayega _,"*.

*"_ Ye Sun kar Abu Taalib bole :- Bade Afsos ki baat hai, Agar Mai'n tumme se kisi ke bete ko sirf Apni mukhalfat ki buniyad per tumse maangu taki use qatl kar saku to kya tum esa karoge, nahi karoge, To Mai'n kyu Apne Bhatije ko tumhare hawale karu, Mai'n esa hargiz nahi kar sakta _,"*

*"_ Is per sabne kaha :- Ey Abu Taalib ! Tum Apni Qaum ke sirf ek Shakhs ke liye Qaum me tafreeq daal rahe ho, Tumne Apni Saari Qaum ko Apne Bhatije ke khaatir zaleel kar ke rakh diya hai _,"*


*★_ Ye keh kar Quresh lot gaye, Ab Abu Jahal vagera ne ek jagah jama ho kar soch vichaar ki aur Aakhir is natije per pahunche k jab tak Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib Muhammad ﷺ ki Himayat tark nahi karte aur unhe hamare hawale nahi karte, Us waqt tak un logo se koi Karobaar na kiya jaye, na unke haath koi cheez farokht ki jaye na unse kharidi jaye, na unke yaha Beti Bete ka Rishta kiya jaye, na unke saath betha jaye na kisi qism ka Mel jol rakha jaye, Koi Shakhs agar kisi Musalman ka Makrooz hai to Qarz ada na kare aur Unhe Sha'ab Abi Taalib me rehne per majboor kar diya jaye, Sha'ab Abi Taalib Ek Ghaanti ka naam tha, Aaj ke daur me is qism ke mu'ahide ko Social Boycott kaha jata hai yani Ma'shrati Talluqaat khatm kar dena, in sab Hazraat ko waha'n rehne per majboor kar diya jaye _,"*


*★_ Ye Boycott Nabuwat ke Saatve Saal ek Muharram ko shuru hua aur Nabuwat ke Dasve Saal Muharram me khatm hua, In 3 Saalo me Rasoole Kareem ﷺ, Aapke ghar walo, Gareeb aur Nadaar Musalmano, Abu Taalib, Bani Hashim, Bani Abdul Muttalib aur unke Saathiyo ne musibato aur mushkilaat ka badi jurrat se muqabla kiya, Quresh ke mazalim ke muqable me koi kamzori na dikhayi, Sabke sab Aap ﷺ ki Himayat me date rahe _,"*


*★_ Haalat ye thi k na ye Hazraat kisi se koi len den kar sakte they na Makka ke bazaaro me kharid farokht kar sakte they, Sha'ab Abi Taalib Kohe Abu Qubes ki ghaantiyo me se ek Ghaanti thi, Ye Haram se ek Kilometre ke faasle per thi, Bani Abdul Muttalib aur Bani Hashim ke Aksar gharane isi mohalle me rehte they ya fir uske ird gird rehte they, Jab Kuffaar ne Boycott ka Mu'ahida likh kar Haram me latka diya to Abu Taalib ne doosre Mohalle me rehne wale Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ke ghar walo ko bhi is Ghaanti me aa jane ke liye kaha _,*


*★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ka Aaba'i makaan doosre Mohalle me tha lekin Aap ab Rasulullah ﷺ ke saath rehti thi'n, Unhone bhi Apna Zaroori Samaan liya aur Aap ﷺ ke saath is Ghaanti me aa gayi'n, Baaz doosre haami Qabile aur gareeb musalman bhi yahi'n aa gaye, Unka Talluq Quresh ke khandaan se nahi tha, in sab Hazraat ke ek jagah jama ho kar rehne ka faisla Abu Taalib ka tha, Ye faisla is lihaaj se bahut Achcha tha k musalman Apne apne mohallo me bikhre rehte to unke liye ye 3 saal guzaarna aur zyada mushkil hota, Sabne mil jul kar ek doosre ka dukh dard baant kar ye saal guzaar liye, ye aur baat hai k ye 3 saal intehayi mushkil saal they, bahar se koi aa kar madad nahi karta tha, Albatta Aapas me ye sab ek doosre ke gam gusaar they,

 *★_' Sha'ab Abi Taalib me rehne wale na to Tijarat kar sakte they na Makka Muazzama ke bazaaro me kharid farokht kar sakte they, Bahar se koi Qafila aata to Quresh uska saara maal mehnge daamo me kharid lete they, Abu Lahab un Taajiro se kehta :- Koi musalman ya Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ka koi Shakhs tumse kuchh kharidna chahe to qeemat itni zyada batana k kharid na sake, Agar tumhara maal na bik saka to Mai'n saara maal kharid lunga _,"*


*★_ Saal me 4 mahine Rajjab, Ziqa'ada, Zulhajj aur Muharram Hurmat ke mahine they, in chaar mahino me in Hazraat ko kuchh Kharid farokht ka moqa milta tha, Lekin aamdani ka koi zariya nahi tha, Rassole Akram ﷺ aur Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke paas jo kuchh tha, Usse Aap dono gareeb Musalmano ki madad karte rahe aur is tarah is Boycott ke khatm hote inki apni maali haalat bahut kamzor ho gayi, Hazrat Umar bhi mukhtalif tareeqo se Musalmano ki madad karte rehte they lekin Senkdo logo ki zarurat poori karna asaan kaam nahi tha _,*


*★_ Jab in logo ki poonji bilkul khatm ho gayi to gharelu cheeze bikne lagi, Aakhri dino me jab Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke ghar me ek haandi aur mitti ka pyala reh gaya, Ghaanti me rehne wale darakhto ke patte khane per majboor ho gaye, Wo pahaadi ilaaqa tha, waha'n Darakht bhi bahut kam they, Un dino ki haalat bayan karte hue Hazrat Sa'ad bin Abi Waqqas Raziyallahu Anhu kehte Hai'n k ek raat unhe Ount ke chande ka Sookha hua tukda mil gaya, Unhone use dhoya aur ubaal kar teen din tak usi se guzara kiya _,"*

*"_ Ye Duniya ki Tareekh ka Zalimana tareen Boycott tha, Quresh Makka ba qa'ada nigrani karte they k Makka ka koi fard chori chhipe in Hazraat ko khane pine ki koi cheez na pahuncha de _,"*


*★_ Asal me Quresh Makka chahte they k in Hazraat ki koi Himayat na kare, iske baad unke liye Quresh ke digar khandano se Apne Apne Musalman ho jane wale afraad ki Himayat chhuda dena asaan ho jata aur jab tamaam Qabile Musalmano ki Himayat se haath utha lete to Quresh ke liye Musalmano se nipatna asaan ho jata Lekin hua ye k in dono khandano ne har qism ki takaleef to bardasht kar li lekin Quresh ke muqable me haar na maani, Nabi Akram ﷺ aur Aapke gareeb Saathiyo ke Musibato se date rehne me koi fark na aaya _,"*

 *★_ Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke Bhatije Hazrat Hakeem bin Hizaam Raziyallahu Anhu Chori Chhipe samaan le aate they, Ek Roz gulam ke saath Galla la rahe they k Ount per sawaar Abu Jahal udhar se aa nikla, Usne pukaar kar kaha :- Kya tu ye Rashan Banu Hashim ke liye le ja raha hai, Khuda ki qasam tera ye gulam waha'n Galla nahi le ja sakta, Mai'n tumhe saare Makka me Ruswa kar dunga k tumne Mu'ahide ki khilaf Varzi ki hai_,"*


*★_ Abu Jahal abhi Jhagad raha tha k Banu Asad ka Sardaar Abul Bakhtari unhe dekh kar ruk gaya, Usne Abu Jahal se puchha :- Kya hai, tum isse kyu Jhagad rahe ho ? Jawab me Abu Jahal ne kaha :- Ye Banu Hashim ke liye Galla le ja raha hai_," Abul Bakhtari ne foran kaha :- Ye iski Foofi ka Galla hai Jo uske paas rakha tha, Ab usne mangaya hai to tu use kese rok sakta hai, Jane do ise _," "_nahi Mai'n nahi jane dunga _," Abu Jahal usse bhi Jhagad pada.*


*★_ Dono me tez lehje me baat hone lagi, Abul Bakhtari ne Abu Jahal ke Ount ki gardan pakad kar jhatka diya to Ount Beth gaya, Usne Abu Jahal ko guddi se pakad kar niche kheench liya, Fir laato aur ghoonso se uski marammat ki, Yaha'n tak k qareeb padi ek haddi utha kar uske sar per de maari, Uske Sar se khoon behne laga, Ese me Hazrat Hamza Raziyallahu Anhu udhar se guzre, Aap unhe dekh kar ruk gaye, Unhe rukte dekh kar dono Apni ladayi se Baaz aa gaye taki Aap ﷺ tak unki Aapas ki Ladayi ki khabar na pahunche _,*


*★_ Tareekh ki Kitaabo me Musibat bhare in 3 Saalo ki bahut tafseel bayan hui hai'n, ibne Qayyim kehte Hai'n :- Bani Hashim ke bachche bhook ke maare is qadar zor zor se rote they k unke rone ki awaaze Ghaanti ke bahar tak sunayi deti thi _,"*

*"_ Imaam Qustlani ne likha hai :- Bani Hashim ke bachcho ke rone ki Awaaze Raat ke sannate me tamaam Shehar me sunayi deti thi, Sangdil aur be reham Qureshi sunte they aur hansa karte they aur Tanz kiya karte they _,"*

*"_ Shibli No'mani likhte hai'n :- Un dino me darakhto ke patte kha kha kar guzar basar ki gayi _,"*

: *★ _ in tamaam sakhtiyo aur takaleef ke baavajood musalaman saabit qadam rahe, Unke qadam bilkul bhi nahi dagamagaye, ek raat Hashim bin Amru bin Haaris teen oo'nton par khana le kar Ghaanti me dakhil hue, Wo Musalamano ke hamadard they aur Abhi musalamaan nahi hue they,  jab Quresh ko is baat ka pata chala to unhone doosri subah Hashim se Baaz purs ki, is par unhone kaha:- Theek hai, Mai'n Aainda aisa kuchh nahi karunga jo Aapke khilaf ho_, "*

 *"_ iske baad ek raat phir do oo'nton par khaane - peene ka saamaan le kar Ghaanti me pahunch gaye,  Quresh ko isaka bhi pata chal gaya,  is baar Quresh ko bahut gussa aaya aur unhone Hashim par hamala kar diya lekin us waqt Abu Sufiyan ne kaha:- ise Chhod do, isne Silah Rehmi ki hai, Rishtedaro ka haq poora karne ke lie aisa kiya hai_, "*


 *★ _ Aakhir Allah Ta'ala ne Aan Hazrat Sallallahu Alaihi vasallam ko ittela di k deemak ne Quresh ke likhe mu'ahide ko chaat liya hai, Aan Hazrat ﷺ ne Apne Chacha Abu Taalib se ya baat kahi, unhone aapaki ye baat sun kar kaha : - sitaaro'n ki Qasam! tumne kabhi jhooth nahi bola"  (musharik log is qism ki qasme khaya karte they), Ab sabhi ne Ghaanti chhodne ka faisla kiya, sabhi waha'n se nikal kar Masjid-e-Haram me aa gaye,  Quresh ne in logo ko dekha to samajhe k ye log musibato ghabra kar nikal aaye hai'n, taki Rasulullah ﷺ ko mushriko ke hawale kar de'n, Abu Taalib ne unse kaha:- hamaare aur tumhaare darmiyan Mamlaat bahut tol pakad gaye hain, isliye Ab tum log Apna Wo Halafnama le lao, mumkin hai hamaare aur tumhare darmiyan sulah ki koi shakl nikal aaye_,"*


 *★ _ Abu Taalib ne asal baat kehne ke bajaay ye baat isliye kahi k Quresh halafnama saamne lane se pehle use dekh na le, kyonki aisi soorat me wo usko le kar hi na aate, Garz wo halafanama le kar aaye, Unhe is baat me  koi shak nahi reh gaya tha k ye log ab Rasulullah ﷺ ko unke hawale karna chahte hai'n, Kyunki Ye tamaam Halafnama aur muahida Aan Hazrat ﷺ ki vajah se hue they, Aakhir wo Halafanama le aaye, Saath hi kehne lage :- Aakhir tum log Pichhe hat gaye na!*

 *"_ is par Abu Taalib ne kaha:- Mai'n Tumhare paas ek insaaf ki baat le kar aaya hu'n, isme tumhari koi be izzati hai na hamari, aur wo baat ye hai k mere Bhatije yani Aan Hazrat ﷺ ne bataya hai k Tumhare us Halafname per jo tumhare haath mei hai, Allah Ta'ala ne ek keeda musallat kar diya hai, us keede ne usme se Alfaaz chaat liye hai'n, Agar baat isi tarah hai jaise mere Bhatije ne bataya hai to maamla khatam ho jata hai, Lihaza tum apni galat baat se Baaz aa jo,Agar baaz na aaye to bhi Khuda ki qasam Jab tak humme se Aakhri Aadmi zinda hai, hum Muhammad ﷺ ko Tumhare hawale nahi karenge, aur agar mere Bhatije ki baat galat nikli to hum unhe Tumhare hawale kar denge fir tum Chahe unhe Qatl karo chahe zinda rakho_, "*


 *★_ is par Quresh ne kaha:- Hume Tumhari baat Manzoor hai_,", ab unhone Ahadnama khol kar dekha, Ahadnama ko waqai deemak chaat chuki thi,  ye dekh kar wo pukar uthe :- ye tumhare Bhatije ka jaadoo hai_"*

 *"_ is waqie ke baad un logo ka zulm aur badh gaya, lekin unme se kuchh log aise bhi the jo deemak wale waqie se sharminda they, unhone kaha:- ab hamari taraf se esi sakhti apne bhaiyon per zulm hai_," fir ye log Ghaanti me pahunche aur in Hazraat se is yu'n kaha:- Aap sabhi apne gharo me aa jaye, Chuna'nche sab log us Ghaanti se nikal kar usi waqt apane-apane ghar aa gae, is tarah 3 saal baad ye Boycott khatm hua.*

: *★_ Sha'ab Abi Taalib ki Ghaanti se Aan Hazrat ﷺ aur Aapke Saathiyo ki rihayi Nabuwat ke Dasve Saal me hui, Uske baad Aan Hazrat ﷺ ne Tablig ka kaam pehle se bhi zyada sargarmi se shuru kar diya tha, in halaat me us zalimana Boycott ko khatm hue Abhi ek mahina bhi nahi guzra tha k Aapke Meharban Chacha Abu Taalib is Duniya se rukhsat ho gaye, Unki wafaat per Aapko bahut Sadma hua aur is Sadme ko abhi ek hafta nahi hua tha k Ummul Momineen Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne bhi is daare faani se kooch kiya, Ouper Tale Do Sadme Aapke liye bahut Sakht they, Aapne is Saal ko gam ka saal qaraar diya,*


*★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha pehli Hasti thi'n Jinhone Aan Hazrat ﷺ ki qadar aur Azmat ko pehchana aur Apna Tan man aur dhan Aapki khidmat ke liye waqf kar diya, Huzoor ﷺ se Shadi ke baad 25 saal ki zindgi me be panah mushkilaat me Aapne Huzoor Nabi Kareem ﷺ ka poori tarah saath diya, Qureshe Makka Qadam Qadam per Aapko Takaleef pahunchate they aur Sayyada Khadija Raziyallahu Anha Aapko Araam v Sukoon pahunchati thi'n, Aapne Apni har Khushi Nabi Kareem ﷺ per nyochhawar kar di, Aapki mojoodgi me Allah ke Rasool ﷺ ko ghar aur bachcho ki dekh bhaal ki koi fikr nahi hoti thi, Sab kaam Aapne Sambhale hue they,*


*★_ Sabse pehle imaan bhi Aap hi layi'n, Aapne Nabi Kareem ﷺ ka be misaal saath diya, Nabi Kareem ﷺ ne ek martaba Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke bare me farmaya :- Khadija Raziyallahu Anha ne Jo mujhse wafadaari ki uske Sabab mujhe unki yaad bahut margoob hai, Jab logo ne meri Nabuwat ka inkaar kiya to wo mujh per imaan layi'n, Jab log meri madad karne se darte they to Wo Chattan ki manind mazbooti se mere saath khadi rahi'n, Wo Behatreen saathi thi'n aur mere Bachcho ki Maa'n _,"*


*★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke Batan se Aap ﷺ ke Yaha'n 6 bachche paida hue, 2 Sahabzaade aur 4 Sahabzaadiya'n, Sahabzaade Bachpan hi me faut ho gaye, Jab Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki wafaat hui to us waqt tak Aapki 2 Betiyo'n ki Shadi ho chuki thi, 2 Betiya'n Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ghar me thi'n, Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki Umr us waqt 8-9 saal ki thi, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi Aapke ghar me hi Parwarish payi thi, Wo bhi abhi chhote they_,*

: *★_ Bukhari Sharif me Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki shaan me ye Hadees Mojood hai :- "_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek roz Jibrai'l Alaihissallam Aapki khidmat me haazir hue aur yu'n arz karne lage :- Ey Allah ke Rasool ! Khadija Ek bartan le kar Abhi aane wali hai'n, Us Bartan me Saalan hai, Jab Wo Aaye'n to Unhe unke Rab ki taraf se aur meri taraf se Salam keh dijiyega aur unhe ye Khush Khabri Sunaiyega k Allah Ta'ala ne Motiyo'n se bana hua ek Mahal Jannat me unhe ata farmaya hai, Usme na kisi qism ka Shor hoga, na Pareshani_,"*


*★_ Nabi Kareem ﷺ ne Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ki zindgi me doosri Shadi ka kabhi khayal tak nahi farmaya, Aapki wafat ke baad bhi Aap unka zikr bahut Muhabbat se farmate they, Aapki Saheliyo se bhi bahut Shafqat ka bartaav karte, Har moqe per Unka khayal rakhte, Aksar unki tareef farmate Yaha'n tak k Aap ﷺ ki Azwaaj Mutahraat ko rashq aane lagta, Aap koi bakri zibeh farmate to uska gosht Hazrat Sayyada ki Saheliyo ko bhi bhijwate _,"*


*★_ Aapki Wafaat ki khabar sun kar Makka Muazzama ke log Ranj v Gam ke Samandar me doob gaye, Har Shakhs ki zuban per unhi ka zikr tha, Unhone kabhi kisi ko takleef nahi pahunchayi thi, Kabhi Zubaan se esa lafz nahi nikala jo kisi ki Dil Shikni ka Sabab banta, Aap ﷺ ki takaleef ko dekh kar wo kabhi mayoos na hoti'n, Aap ﷺ ki hosla Afza'i karti'n, Doosre logo ko takaleef pahunchayi jati to Aap unhe bhi hosla dilati, Unhe Yaqeen dilati k Allah hamare saath hai,, Makka me kisi Zubaan per bhi unki burayi nahi thi, Har Shakhs unki tareef karta tha,*


*★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ko Hujoon ke Qabristan me dafan kiya gaya, Dafan ke waqt Aap ﷺ khud Qabr me utre, Inteqal ke waqt unki Umr 63 saal thi, Us waqt tak Namaze Janaza ka hukm nahi aaya tha,*

 *★_ Sayyada Khadija Raziyallahu Anha Nabi Kareem ﷺ se Shadi ke baad 25 saal tak zinda rahi'n, Yani itni Taveel muddat tak Aapne Aan Hazrat ﷺ ka saath diya, Jab Aap bimaar thi'n to ek Din Aan Hazrat ﷺ Aapke paas tashreef laye aur farmya :- Jo kuchh maine Tumhare liye dekha hai, Kya tum usse khush nahi, Allah Ta'ala na pasandidgi me bhi khayr farmane wala hai, Yani hamari judayi ke is gam me bhi khayr hai, Tumhe maloom nahi Allah Ta'ala ne mujhe khabar di hai k usne Jannat me tumhare saath saath Mariyam bint Imraan yani Maseeh Alaihissallam ki Walida, Moosa Alaihissallam ki behan Kulsoom aur Firoan ki Bivi Aasiya se meri Shadi ki hai ( yani ye Jannat me Tumhari Saathi ho gayi'n ),*


*★_ Ye Sun kar Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Kya Allah Ta'ala ne Aapko is baat ki khabar bhi di hai _," Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n !" Is per Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne kaha :- Allah Ta'ala muhabbat v Barkat ata farmaye _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ne Aapse ye bhi farmya :- Jannat Tumhare Didaar ki Mushtaq hai, Tamaam Ummahatul Momineen se Tum behtar ho, Tum tamaam Aurto'n se Afzal ho, Tum Mariyam bint Imraan aur Firoan ki Bivi Aasiya se zyada buzurg ho _,"*

*"_ Aap ﷺ ki tamaam Aulaad Sivaye Ibrahim Raziyallahu Anhu ke Sayyada Khadija Raziyallahu Anha se hui, Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke Yaha'n Sabse pehle Qasim Raziyallahu Anhu paida hue, Fir Zainab Raziyallahu Anha, Fir Ruqayya Raziyallahu Anha, Fir Umme Kulsum Raziyallahu Anha aur fir Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, Ye tamaam Nabuwat se pehle paida hue'n, Unke baad Abdullah paida hue, Tayyab aur Taahir inhi ke laqab they, Bahar haal is per sabka ittefaq hai k bete Bachpan hi me Faut ho gaye they, Betiya'n jawan hui'n aur unki Shadiya'n hui'n aur unse Aulaad hui'n,*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ki tamaam Aulaad ka Silsila Nasab Hazrat Khadijatul Kubra Raziyallahu Anha per Khatm hota hai, Aap Apni Zindgi me Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke liye dua karte rahe, Unki mojoodgi me doosri Shadi nahi ki, Aapne unhe Tamaam Aurto'n se Afzal qaraar diya ( baaz Rivayaat ki ru se Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ko Afzal qaraar diya ), Jibrai'l Alaihissallam ne Allah Ta'ala ka Salam Aapke zariye Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ko pahunchaya, Sayyda ne Apna saara maal Allah ke Raaste me kharch kar diya, Aapne Nabi Kareem ﷺ ka intehayi takleef dah halaat me saath diya, Allah ki un per Karodo rehmate Ho'n _,"*


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

    *⚂ HAZRAT AAYESHA RAZ. ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                    *❀__Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki beti thi'n, Aapki Walida ka naam Umme Romaan Tha, Umme Romaan Ka Pehla Nikah Abdullah Azdi naam ke shakhs se hua, Abdullah ki wafaat ke baad Umme Romaan ka Nikah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se hua, Unse Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Yaha'n Abdurrahman aur Ayesha Siddiqa paida hue, Aap Nabuwat ke Paanchve Saal me paida hui'n yani Jab Aap paida hui'n to Nabuwat Ka Elaan hue 4 Saal guzar chuke they aur Paanchva saal guzar raha tha, Goya Aapne Jabse Duniya me Aankh kholi to Aapka gharana musalaman ho chuka tha _,*


*★_ Aan Bachcho ki tarah Aap bhi Bachpan me khel kood ki bahut Shoqeen thi'n, Mohalle ki bachchiya'n Aapke paas jama ho jati, Aap unke saath khela karti thi'n, Nabuwat ke Dasve Saal Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki pehli Bivi Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ne wafaat payi, Us waqt Aap ﷺ ki umr 50 Saal thi, Unki Wafaat ke baad Aap bahut Gamgeen rehne lage they, Aapki Ye Haalat Sahaba Kiraam se chhupi hui nahi thi, Chuna'nche Mash'hoor Sahabi Hazrat Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu ki Bivi Hazrat Khaula bint Hakeem Raziyallahu Anha Aapke paas aayi'n_,*


*★_ Unhone Aapse arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Aap doosra Nikah farma le'n _," Aap ﷺ ne daryaft farmaya :- Kisse Nikah karu'n ? Hazrat Khaula ne arz kiya :- Beva aur Kunwari dono tarah ki ladkiya'n hai'n, Jisse Aap pasand farmaye'n, Uske bare me baat ki ja sakti hai _," Is per Aapne farmaya :- Wo kon hai'n ? Hazrat Khaula ne arz kiya :- Beva to Sauda bint Zam'a Raziyallahu Anha hai'n aur Kunwari Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki beti Ayesha hai'n _," Aapne irshad farmaya :- Theek hai, Tum inke bare me baat karo _,"*


*★_ Hazrat Khaula Aapki marzi pa kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke ghar aayi'n aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke saamne ye baat rakhi, Jaahiliyat ke daur me dastoor ye tha k Jis tarah sage Bhaiyo'n ki Aulaad se Nikah Jaa'iz nahi, Usi tarah Apne moo'nh bole Bhaiyo'n ki Aulaad se bhi Shadi nahi karte they, isi buniyad per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne unse kaha :- Khaula ! Ayesha to Aan Hazrat ﷺ ki bhatiji hai, Aapse uska Nikah kese ho sakta hai _," Hazrat Khaula ye jawab sun kar Aan Hazrat ﷺ ke paas gayi'n aur ye baat Aapko batayi, is per Aapne farmaya :- Abu Bakar mere Deeni Bhai hai'n aur is qism ke Bhaiyo'n se Nikah Jaa'iz hai _,"*


*★_ Hazrat Khaula ne ye baat Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko batayi to Aapne Foran Manzoor kar li, Ab ek aur masla bhi tha k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki baat Hazrat Juber bin Mut'am Raziyallahu Anhu ke bete se tay ho chuki thi, Chuna'nche Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Hazrat Juber bin Mut'am ke paas gaye aur unse farmya :- Tumne Ayesha ki nisbat Apne Bete se tay ki thi, is silsile me tum kya kehte ho ? Us waqt tak Hazrat Juber bin Mut'am ka Khandaan musalaman nahi hua tha, isliye unki Bivi ne kaha :- Agar ye ladki hamare ghar me aa gayi to hamara beta bedeen ho jayega, Lihaza ab hume ye rishta manzoor nahi _," is tarah ye nisbat khud unki taraf se khatm ho gayi _,*

[6/6, 10:49 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha se Nikah se pehle Aan Hazrat ﷺ ne khwab dekha tha k ek Farishta Resham ke kapde me lapet kar koi cheez Aapko pesh kar raha hai, Aapne usse puchha :- Ye kya hai ? Usne kaha :- Aapki Bivi hai _," Aapne Resham ka kapda hata kar dekha to ( Tasveer me ) Ayesha Siddiqa thi'n _," ( Bukhari )*


*★_ Goya Rishta Allah Ta'ala tay farma chuke they, Nikah bahut Saadgi se hua, Aap apni Saheliyo ke saath khel rahi thi'n k Aapki Walida Aayi aur Aapko jaldi se taiyaar kar ke ghar le gayi'n Jaha'n Taqreebe Nikaah ho rahi thi, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne nikah padh diya,*

*"_ Khud Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Jab mera Nikah hua mujhe pata tak na chala, Meri Walida ne bahar nikalne se roka, tab mujhe andaza hua k mera Nikah ho gaya hai, uske baad meri Walida ne mujhe samjha bhi diya _,"*


*★ _ Nikah ke waqt Aapki Umr 6 saal thi, Matlab ye k us waqt sirf Nikah hua tha, Rukhsati baad me hui,*.

*"_ Kuchh muddat guzarne per Musalamano ki Madina ki taraf hijrat ka Silsila shuru ho gaya, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne bhi Aap ﷺ se ijazat maangi lekin Aap unse yahi farmate rahe :- Abu Bakar ! Jaldi na karo, Ummeed hai Allah Ta'ala kisi ko tumhara safar ka saathi bana de _," ye sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Ummeed ho gayi k wo Aan Hazrat ﷺ ke saath hijrat karenge, Chuna'nche Allah Ta'ala ne Aan Hazrat ﷺ ko hijrat ki ijazat de di to Aap Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko le kar Madina Munavvara ke liye rawana hue, Rawana hote waqt Aap dono ne Apne Ahlo Ayaal ko Makka hi me chhod diya tha _,*


*★_ Madina Munavvara pahunchne ke baad Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Raafe Raziyallahu Anhu ko Do oun't aur Paanch So dirham de kar Makka bheja, Taki dono gharano ke logo ko le Aaye'n _,*

*"_ Ye dono Hazraat Makka pahunche to inki mulaqaat Hazrat Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu se hui, Wo bhi Hijrat ke liye taiyar they, Chuna'nche ye Hazraat un dono gharano ko saath le kar Madina Munavvara ki taraf rawana hue, in Hazraat me Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ka Beta Osama, Unki Bivi Umme Eman, Aan Hazrat ﷺ ki Do Betiya'n Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, Aap ﷺ ki Bivi Hazrat Ayesha siddiqa aur Hazrat Sauda Raziyallahu Anhuma ( Hazrat Sauda Raziyallahu Anha se Aapka Nikah Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ke baad hua tha lekin Rukhsati pehle ho gayi thi, Jabki Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki Rukhsati hijrat ke baad hui ) aur Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha ke Bhai Abdullah bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Bivi Umme Romaan shamil they _,*

[6/9, 9:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ is Safar me Hazrat Ayesha siddiqa Raziyallahu Anha aur unki Walida oun't ke Kajawe me sawaar thi'n, Raaste me ek moqe per unka oun't bidak gaya, is per Umme Romaan ghabra gayi'n aur pukaar uthi'n :- Haay meri Bachchi ! Us waqt Allah Ta'ala ka madad pahunchi, Gaib se Awaaz aayi, "_ Oun't ki nakel chhod do_," Rassi us waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke haath me thi, Aap farmati hai'n, maine nakel chhod di, Esa karte hi oun't araam se thehar gaya, Kisi ko koi nuqsaan na pahuncha _,"*


*★_ Aakhir ye Qafila Madina Munavvara pahuncha, Aan Hazrat ﷺ Masjide Nabvi ke aas paas Apne Ahlo Ayaal ke liye Hujre banwa rahe they, Hazrat Sauda, Hazrat Fatima aur Umme Kulsum Raziyallahu Anhuma ko inhi Hujro me thehraya gaya, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Maa'n Baap ke yaha'n chali gayi'n, Iske Chand Maah baad Shawwal me Aapki Rukhsati hui, Arab ke log Shawwal me Shadi karne ko bura Samajhte they, baad me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmaya karti thi'n :- Allah ke Rasool ﷺ ne Shawwal me nikah kiya aur Shawwal me meri Rukhsati hui, To Ab iske khilaf Musalmano ko karne ka kya haq hai _," matlab ye k Shawwal me Shadi Byaah karna bilkul durust hai, isi tarah Aaj kal Muharram ke mahine me Shadi nahi ki jati ye bhi galat hai _,"*


*★_ Rukhsati se pehle Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me haazir hue thry aur arz kiya tha :- Ey Allah ke Rasool ! Aap apni Bivi ko ghar kyu nahi laate_," Aapne irshad farmaya :- "_ is waqt mere paas Mehar ada karne ke liye raqam nahi hai _," Ye Sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- " _ Aap mujhse Qarz le le'n _," Aapne unki ye baat Manzoor farma li, Unse Qarz le kar Mehar ada kiya, Mehar 500 dirham tha, Rukhsati ki kaifiyat Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha yu'n bayan karti hai'n :-*


*★_ Mai'n Apni Saheliyo ke saath jhoola jhool rahi thi k Walida ne aa kar mujhe awaaz di, Mujhe maloom hi nahi tha k kyu bula rahi hai'n, Mai'n unke paas pahunchi to mera haath pakad kar le chali, mera Sar aur haath moo'nh dhoye, ghar ke andar Ansar ki Aurte'n bethi thi'n, Unhone mera banaav singhar kiya, Fir Aap ﷺ tashreef le aaye, Ye Chaasht ka waqt tha_,"*


*★_ Us waqt Aan Hazrat ﷺ ke paas Dawat ke liye doodh ke ek pyale ke siva kuchh nahi tha, Aap ﷺ ne usme se thoda sa doodh nosh farmya, Fir Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko diya _,"*

[6/9, 10:42 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Chand Doosro Aurto'n ke saath us waqt waha'n Asma binte Umes Raziyallahu Anha bhi thi'n, Wo farmati hai'n :- Allah ki qasam ! Koi Dawat nahi hui, Jab Aap ﷺ ne Sayyada ko doodh diya to Aap Sharmane lagi'n, is per maine kaha - Huzoor ﷺ ka atiya wapas na karna _," Chuna'nche Sayyada ne doodh le liya aur piya, Fir Aapne farmaya:- Apni Saheliyo ko bhi do _," Maine arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Hume bhook nahi hai _," is per Aap ﷺ ne farmaya :- "Bhook aur jhoot ko jama na karo _," ( Musnad Ahmad 6/438)*


*★_ Matlab ye tha k Agar bhook ho to yu'n na kaho k hume Bhook nahi hai Ye jhoot ho jayega, Garz is qadar Saadgi se Rukhsati hui, Hazrat Ayesha Siddiqa farmati hai'n :- Allah ki qasam ! Meri Rukhsati me na koi oun't zibeh kiya gaya na koi Bakri, haa'n khane ka ek pyala tha wo bhi Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyallahu Anhu ne Aap ﷺ ki khidmat me bheja tha _," ( Musnad Ahmad -6/210)*


*★_ Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Chunki kam Umar me Aap ﷺ ke ghar aa gayi thi'n isliye Aapki Tarbiyat Aap ﷺ ki nigrani me hui, Usi Zamane me Aapne padhna likhna seekha, Aapka Hujra Chunki Masjid ke saath hi tha isliye Nabi Kareem ﷺ ki tamaam baate sunti rehti thi'n, koi baat samajh me na aati to bila jhijhak poochh leti thi'n _," ( Bukhari -1/21)*


*★_ Iski misaal yu'n hai k Ahadees ki kutub me beshumar Masail ese hai'n Jo Sayyada ke poochhne se ummat ko maloom hue, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Aap ﷺ ke saath 9 Saal guzare aur in 9 saalo me khoob ilm haasil Kiya, Sayyada Aan Hazrat ﷺ se sawalaat poochh poochh kar Apne ilm me izafa karti rahi'n, Aap ﷺ khud bhi ye baat pasand farmate they k wo Sawalaat poochhe'n taki doosri Aurto'n ko Masail bata sake'n _,"*

[6/9, 10:58 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ imaam Zahri farmate hai'n:- Aan Hazrat ﷺ ki tamaam Biviyo aur unke alawa baqi tamaam Aurto'n ka ilm jama kiya jaye ti Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ka ilm sabse bada hua hoga _,"*

*"_ Hazrat Masrooq Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke khaas Saagird they, Wo farmate hai'n :- Umr me Budhe log Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se fara'iz ( Miraas ) ke bare me maloom kar liya karte they _,"*


*★_ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Hum Ashabe Rasool ﷺ ko jab bhi ilmi uljhan pesh aati to hum iske bare me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se poochha karte they, Jab bhi humne unse kuchh poochha unhe us masle ke bare me zaroor maloom hota tha _," is tarah bahut se Sahaba aur Taaba'in Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saagird hai'n _,*


*★_ Ek Roz Aan Hazrat ﷺ ne Allah se Dua ki :- "_Ya Allah ! Mujhse asaan hisaab lena _," Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Asaan hisaab ki kya soorat hogi ? Aap ﷺ ne farmaya :- A'maal Naama dekh kar dar guzar kar diya jayega _," ( yani ye hai Asaan hisaab )*

*"_ Fir farmaya :- Yaqeen jano jiske hisaab me chhan been ki gayi, Ey Ayesha wo halaak ho gaya kyunki jiske hisaab kitaab ki chhan been hogi wo hisaab de kar kamyaab nahi ho sakega _,"*


*★_ Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- Ey Ayesha ! Qayamat ke din log nange Paa'nv nange badan bager khatna ke uthaye jayenge _," ( yani Jese Maa'n Ke pet se paida hue hai'n ), Ye Sun kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ya Rasulallah ﷺ ! Ye to bade sharm ka muqaam hoga, Kya Mard Aurat sab nange honge, Ek doosre ko dekhte honge _," Sayyada ke jawab me Aapne farmaya :- Ey Ayesha ! Qayamat ki sakhti is qadar hogi aur log is qadar be haal honge k kisi ko kisi ki taraf dekhne ka hosh nahi hoga, Musibat itni hogi k kisi ko iska khayal tak nahi aayega _,"*

[6/9, 11:19 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek baar Aap ﷺ ne ye Dua maangi :- Ey Allah ! Mujhe Miskeen Zada rakh aur Miskeeni ki haalat me mujhe is Duniya se utha le aur Qayamat me mera Hashr Miskeeno me karna _,"*

*"_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Aapne esi dua kyu ki ? Jawab me Aapne irshad farmaya :- isliye k bila Shubha Miskeen log maaldaro se 40 saal pehle Jannat me dakhil honge _,"*

*"_ iske baad Aapne farmaya :- Agar Miskeen Saa'il ki haisiyat se aaye to use kuchh diye bager waapas na lauta'o aur kuchh nahi to khajoor ka ek tukda hi de do _,"*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k maine poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Ye jo Allah Ta'ala ne farmaya hai,.... Aur wo log jo Allah ki raah me dete Hai'n aur unke Dil khof Zada hote Hai'n k wo Apne Rab ke paas jane wale hai'n.... To un khof Zada logo se kon log muraad hai, kya wo log muraad hai'n Jo sharaab pite hai'n aur choriya'n karte hai'n_,"*

*"_ Aap ﷺ ne jawab me irshad farmaya :- Ey Siddiq ki beti, nahi, Allah ke is Farman se ese log muraad nahi balki is Aayat me Allah Ta'ala ne ese logo ki tareef farmayi hai Jo Roza rakhte hai'n aur Namaz hai'n aur Sadqa dete Hai'n aur iske bavjood is baat se darte hai'n k kahi'n esa na ho k unke Aamaal Qubool hi na kiye jaye, ese hi logo ke bare me Allah Ta'ala ne farmaya hai :- Ye log Nek kaamo me tezi se badte hai'n _,"*


*★_ Ek martaba Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- Jo Shakhs Allah ki mulaqaat ko Mehboob rakhta hai Allah Ta'ala uski Mulaqaat ko Mehboob rakhte hai'n aur jo shakhs Allah Ta'ala ki mulaqaat ko na pasand karta hai to Allah Ta'ala uski Mulaqaat ko na pasand farmate hai'n _,"*

*"_ Ye Sun kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ye to Aapne bahut ghabra dene wali baat suna di, Maut hum sabko tab'an buri lagti hai Lihaza iska matlab to ye hua k humme se koi shakhs Allah Ta'ala ki mulaqaat ko pasand nahi karta, Lihaza Allah Ta'ala bhi humme se kisi ki mulaqaat ko pasand nahi karte _,"*


*"_ Iske jawab me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- iska ye matlab nahi balki iska matlab ye hai k Jab Momin ki maut ka waqt aa jata hai to use Allah Ta'ala ki taraf se inamaat ki khush khabri sunayi jati hai Lihaza uske nazdeek isse zyada koi cheez Mehboob nahi reh jati Jo marne ke baad use pesh aane wali hai'n, is vajah se wo Allah Ta'ala ki mulaqaat ko chahne lagta hai, Lihaza Allah Ta'ala bhi uski Mulaqaat ko chahte hai'n aur bila Shubha jab Kaafir ki maut ka waqt aata hai to use Allah Ta'ala ke Azaab aur Allah Ta'ala ki taraf se saza milne ki khabar di jati hai Lihaza uske nazdeek koi cheez isse zyada na pasandida nahi hoti Jo marne ke baad use pesh aane wali hai, isi vajah se Allah Ta'ala ki mulaqaat ko pasand nahi karta _,"*

[6/14, 4:55 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek martaba Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Ey Allah ke Rasool ﷺ ! Kya Aurto'n per Jihaad Farz hai ? Aap ﷺ ne farmaya :- Haa'n Aurto'n per esa Jihaad Farz hai jisme Jung nahi yani Hajj aur Umra _,"*


*★_ Ek Roz Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne poochha :- Koi Shakhs Allah ki rehmat ke bager Jannat me dakhil nahi hoga Yahi baat hai na _," Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n yahi baat hai, Koi Shakhs Allah ki Rehmat ke bager Jannat me dakhil nahi ho sakta _," Aap ﷺ ne teen martaba yu'nhi farmaya, Ab Hazrat Ayesha ne poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Kya Aap bhi Allah ki Rehmat ke bager Jannat me dakhil nahi honge _,"*

*"_ Aapne Peshani per haath maar kar farmaya :- Haa'n ! Mai'n bhi Jannat me dakhil nahi hu'nga Jab tak k Allah mujhe Apni Rehmat me na dhaa'np le _," Aapne teen martaba yahi farmaya _,*


*★_ Ek martaba Sayyada Ayesha ne Aan Hazrat ﷺ se poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Agar mujhe maloom ho jaye k Laylatul Qadr ki Raat konsi hai ya ye maloom ho jaye k Aaj Laylatul Qadr hai to Mai'n kya maangu _," Aapne irshad farmaya :- Ye Dua maango, ..... Ey Allah ! Bila Shubha tu maaf karne wala hai, maaf karne ko pasand karta hai, Lihaza tu mujhe maaf farma de _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Sab Biviyo se zyada muhabbat thi, Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne ek Roz Aapse poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Aapko sabse zyada Mehboob kon hai _," Aapne farmaya :- "Ayesha _,"*

*"_ Ab Unhone poochha :- Ey Allah ke Rasool ! Mai'n ye poochhna chahta tha k Mardo'n me sabse zyada muhabbat kisse hai _," Aapne farmaya :- "Unke Waalid Abu Bakar se _," ( Bukhari )*

[6/15, 5:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ek Gazwe ke liye tashreef le gaye, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne diwaar per ek achchha sa parda latka liya, Jab Aap waapas tashreef laye to us parde ko is zor se khee'ncha k wo fat gaya, Fir Aap ﷺ ne farmaya :- Beshak Allah Ta'ala ne hume hukm nahi diya k hum Pattharo aur mitti ko libaas pehnaye'n _,"*


*★_ Ek martaba chand Yahoodi Aan Hazrat ﷺ ke paas aaye, Unhone dabi awaaz me Assalamu Alaikum ke bajaye Assamu Alaikum kaha, Saam maut ko kehte Hai'n, matlab ye hai k Unhone maut ki bad dua di yani tum per maut ho,...Aap ﷺ ne jawab me sirf itna farmaya - Wa Alaikum_( yani aur tum per maut ho ), Aap ﷺ ne to bas itna hi farmaya, lekin Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha gusse me aa gayi'n aur farmane lagi :- Tum per maut ho, Allah ki laanat ho aur Allah ka gazab naazil ho _,"*

*"_ ye sun kar Aan Hazrat ﷺ ne farmaya:- "_Ey Ayesha thehro ! Narmi Akhtyar karo aur bad kalami se bacho _," Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz kiya :- "Aapne Suna nahi, Unhone kya kaha hai _," Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- "Aur tumne suna maine kya jawab diya, Maine unki baat un per lota di, Ab Allah Ta'ala meri bad dua unke haq me qubool farmayenge... Aur unki bad dua mere haq me qubool nahi hogi _,"*


*★_ Ek martaba Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Hazrat Safiya Raziyallahu Anha ke bare me keh diya k unka Qad chhota hai, Aan Hazrat ﷺ ne Aapko foran toka aur farmaya :- Yaqeen jaan lo, Tumne esa kalma keh diya hai k Agar use Samandar me mila diya jaye to use bhi bigaad de _,"*

*"_ Ek Roz Aapne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se farmaya :- Ey Ayesha ! Chhote Gunaaho se bhi bacho, kyunki Allah ki taraf se unke bare me bhi pakad hone wali hai _,"*


*★_ Ek martaba Allah ke Rasool ﷺ ne Aapko ye Nasihat farmayi :- "_ Ayesha ! Agar tu Aakhirat me mujhse milna chahti hai to tujhe duniya me bas itna samaan kaafi hai jitna musafir apne saath le kar chalta hai aur maaldaro ke paas bethne se parhez kar aur kisi kapde ko purana samajh kar pehanna mat chhodo jab tak k usko peband laga kar na pehan lo_,"*

*"_ Hazrat Amru bin Zuber Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- "_ Khala jaan is Nasihat per Amal karte hue naya kapda us waqt tak nahi banati thi'n Jab tak k pehli banaye hue kapde ko peband laga kar nahi pehan leti thi'n aur jab tak k wo khoob bosida nahi ho jata tha _,"*

[6/15, 6:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "_ Nabi Kareem ﷺ ke duniya se tashreef le jane ke baad Sabse musibat ummat me ye paida hui k Pet bhar kar khaane lage,... Jab pet bharte hai'n to badan mote ho jate hai'n aur nafsani khwahish zor pakad leti hai _,"*


*★_ Ek martaba Aapne farmaya :- "_ Gunaaho ki kami se behtar koi poonji esi nahi jise tum le kar Allah Ta'ala se mulaqaat karo, Jise ye khushi ho k ibaadat me mehnat karne wale se baazi le jaye, use chahiye k khud ko Gunaaho se bachaye _,"*


*★_ Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anha ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko ek khat likha, Us khat me Apne liye nasihat karne ki farma'ish ki, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne jawab me farmaya :- "_Tum per Salam ho, baad Salam ke waaze ho k maine Rasulallah ﷺ se suna hai k Jo Shakhs logo ki naraazgi ka khayal na karte hue Allah Ta'ala ki raza ka Taalib ho, Allah Ta'ala use logo ki shararto se bhi mehfooz farmate hai'n aur jo shakhs Allah Ta'ala ko naraaz kar ke logo ko Raazi rakhna chahta ho to Allah Ta'ala uski madad nahi karte, Use logo ke hawale kar dete Hai'n,... Wassalam Alaika _," ( Mishkaat )*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Deen ka ilm doosro tak pahunchane ka Fariza anjaam diya, Unke Shagirdo'n ki tadaad 200 ke qareeb hai, Unme Sahaba Kiraam bhi hai'n aur Taaba'in bhi, Aapne Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad 48 saal is duniya me guzare,... Goya 48 saal tak Deen failaya, Aap taqriban 2200 Ahadees ki Raaviya'n hai'n, Aapse Deen Seekhne ke liye aane wale logo me Aurte'n to Aapke Saamne Beth jaati thi'n, .. Mard Hazraat parde ke doosri taraf Bethte they,.. ye log Aapse deeni Sawalaat karte they aur Aap unhe jawab batati thi'n _,"*


*★_ Aap har saal Hajj Baitullah ke liye jaati thi'n, Us moqe per bhi log door door se aa kar Aapke paas jama ho jate, Aap apne khaime me Beth jaati'n, Sawalaat poochhne wale khaime se bahar reh kar poochhte, Fatwe poochhne walo ki bheed lagi rehti thi,*

*"_ Hazrat Umar aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhum Jese bade Sahaba bhi Aapse Masa'il maloom karne wale they, Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu Shaam me hote they, Waha'n se Qaasid ke zariye Masa'il maloom karate aur un per Amal karte they, Bahut se log khutoot ke zariye Aapse Sawalaat poochhte they _,"*

[6/16, 7:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Bahut se log Khutoot ke zariye Aapse Sawalaat poochhte they, Ayesha bint Talha Aapki khaas Shagird thi'n, Wo Khutoot padh kar sunati aur poochhti :- Ey Khala jaan ! Mai'n is khat ke jawab me kya likhu _," Aap farmati :- "Ey Beta ! iske jawab me likh do.... Aur Hadiye ka badla de do _,"*


*★_ Hazrat Aswad Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Maine Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se poochha :- "_ Aan Hazrat ﷺ Apne Ghar me kya karte they ? Aapne bataya :- "Apne Ghar me kaam kaaj me mashgool rehte they aur namaz ka waqt aata to namaz ke liye tashreef le jate, Aap Apni jooti ki marammat khud kar lete they, Apne gharelu kaam is tarah kar lete they Jis tarah aam log kar lete hai'n,.... Aap insaano me se ek insaan they, Apne kaam khud kar lete they_,"*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se Aap ﷺ ki Ha'nsi ke bare me poochha gaya, Aapne farmaya :- "Maine Aap ﷺ ko kabhi poore Daa'nto aur Daadho ke saath ha'nste nahi dekha jisse Aapke halaq mubarak ko dekha ja sakta, Aap to bas muskurate they _,"*

*"_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "Aapne apne haath mubarak se kabhi kisi ko nahi maara, na kisi Bivi ko na kisi khaadim ko, Haa'n Allah ki raah me jihaad karte hue Allah ke dushman ko maara ho to aur baat hai, Agar Aapko kisi se koi takleef pahunchti to Aap uska badla nahi lete they, Haa'n Allah ke hukm ke khilaf kisi se koi kaam ho jata to Aap Allah ke liye use saza dete they _,"*


*★_ Aap farmati hai'n :- "Sayyade Do Aalam ﷺ namaze Tahajjud se faarig ho kar jab fajar ki do sunnat padh lete aur Mai'n jaag rahi hoti to Aap masjid me jane tak mujhse baate kar lete they ya Daahini karwat me let jate _," (Muslim)*


*★_ Aap farmati hai'n :- "Sayyade Do Aalam ﷺ jab Raat ko namaz ( Nifl ) padhne ke liye khade hote they to pehle Mukhtasar do raka'at padhte they, Uske baad lambi soorto se namaz ada farmate aur Gair Farz Namazo me jis qadar Fajar ki Do raka'ato ka khaas Ahatmam farmate they aur kisi gair Farz namaz ka ahatmam nahi farmate they, Aap ﷺ ne farmaya, "Fajar ki Do Sunnate saari duniya aur jo kuchh duniya me hai sabse behtar hai _," ( Muslim )*


*★_ Aap farmati hai'n :- Rasulallah ﷺ meri goad me sar rakh kar let kar Qur'an ki tilawat kar lete they, Hala'nki Mai'n un dino Ayyam se hoti thi _,"*

[6/16, 8:41 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ pet bharne aur mazedaar cheeze haasil karne aur samaan jama karne ko na pasand farmate they, Ek martaba Aap ﷺ ne farmaya :- "Ey Ayesha ! Agar Mai'n chahu'n to mere saath sone ke pahaad chale, magar Maqsad ye hai k mere paas ek Farishta aaya, Uske qad ka haal ye tha k uski kamar Kaabe tak pahunch rahi thi, Usne mujhse kaha k Aapke Rab ne Aapko salam farmaya hai k Agar Aap chahe'n to Aam Bando me banda aur Nabi ban kar rahe'n aur Aap chahe'n to Nabi aur Badshah ban kar rahe'n,... Maine is bare me Jibrai'l Alaihissallam se mashwara lene ke liye unki taraf dekha to unhone ishara kiya k Tawazo Akhtyar Kare'n, So Maine jawab diya k Mai'n Nabi hote hue aam Bando ki tarah rehna chahta hu'n, Ye farmane ke baad Aapne mujhse farmaya :- "_ Mai'n is tarah khane khata hu'n Jese Gulaam khata hai aur is tarah bethta hu'n Jese Gulaam bethta hai _,"*


*★_ Hazrat Mashrooq reh. Farmate hai'n :- Mai'n ek martaba Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki khidmat me haazir hua, Unhone mere liye khana mangwaya, fir farmaya :- "Agar Mai'n Pet bhar kar kha lu'n to rona aa jata hai _," Maine ye baat sun kar kaha :- Ye kyu ? Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "Mai'n us haal ko yaad karti hu'n jis haal me rehmate Aalam ﷺ duniya ko chhod kar tashreef le gaye hai'n, Allah ki qasam kisi roz bhi Aap ﷺ ne gosht aur roti se pet nahi bhara _," ( Tirmizi )*

*"_ Fir Aapne ye bhi farmaya:- "Hum agar chahte to pet bhar kar kha lete lekin Waqia ye hai k Aan Hazrat ﷺ Apne nafs per Doosro ko tarjeeh dete they _,"*


*★_ Ek Roz Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Hazrat Amru bin Zuber Raziyallahu Anhu se farmaya :- "Ey meri Behan ke bete, Sach jaano ! Hum teen chaand dekh lete they aur ghar me aag nahi jalti thi_," Hazrat Amru bin Zuber Raziyallahu Anhu ne poochha :- " Khala jaan ! Fir Aap Hazraat zinda kese rehte they ? Aapne farmaya :- " Khajooro aur paani per guzara kar lete they aur iske siva ye bhi hota tha k Aan Hazrat ﷺ ke padosi Ansar Apne doodh aur jaanwaro ka Hadiya bhej diya karte they, Aap unka doodh hume bhi pilate they _," ( Bukhari )*


*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- "Aap ﷺ ke ghar walo per bager Charaag Roshan kiye aur bager Chulha jalaye ka'i Ka'i maah guzar jate they, Agar Zetoon ka tel mil jata to thoda sa hone ki vajah se Charaag me daalne ke bajaye use Badan per mal lete they, Charbi mil jati to use khane me istemal kar lete they _," ( Bukhari )*

   

[6/16, 11:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :-." Mai'n Aan Hazrat ﷺ ke saamne ( Tahajjud ki namaz ke waqt ) so jati thi aur mere Paa'nv Aapke saamne Sajde ki jagah faile hote they, Jab Aap Sajde me jate to mere Paa'nvo ko haath laga dete taki Mai'n Paa'nv hata lu'n aur Sajde ki jagah ban jaye, Lihaza Mai'n Paa'nv sikod leti, Jab Aap Sajde se faarig ho jate to Mai'n Paa'nv faila deti, Us zamane me ghar me Charaag nahi they _,"*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Sayyade Aalam ﷺ Jis bistar per sote they Wo Chamde ka tha, Usme khajoor ki chhaal bhari thi, Jis Takiye per Aap Sahara laga kar Betha karte they usme bhi khajoor ki Chhaal hoti thi, Aan Hazrat ﷺ ke mubarak ghar me kapde bhi zyada nahi they, Baaz martaba esa hua k Aap ﷺ ka kapda Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne paak kiya to Aap usi ko pehan kar Masjid me namaz ke liye tashreef le gaye, yani abhi wo kapda geela hota tha _,"*


*★_ Hazrat Na'afe Reh. Farmate hai'n :- "_ Mai'n Shaam aur Misr ka maal doosre ilaaqo me Tijarat ke liye le jata tha, Ek martaba Iraaq me gaya, Waapas aaya to Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki khidmat me haazir hua aur unhe bataya :- "_Mai'n pehle Tijarat ka samaan le kar Shaam jata tha, is martaba Iraaq le gaya... Yani is bare me Aapki kya Raay hai _," Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "_Tumne esa kyu kiya, Tijarat ke liye apna Saabqa ilaaqa kyu chhodte ho, Maine Sayyade Aalam ﷺ se suna hai k Jab Allah jallshanhu tumhare liye kisi zariye Rizq ke Asbaab Paida farmate hai'n to jab tak wo sabab khud hi badal na jaye ya doosra rukh Akhtyar na kar le use na chhodo _,"*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k mujhe in cheezo ki Fazilat haasil hai :- "Nikaah se Jibrai'l Alaihissallam meri tasveer le kar Aan Hazrat ﷺ ke paas aaye, Mere alawa aur esi Aurat Aap ﷺ ke nikah me nahi aayi Jiske Maa'n Baap dono ne Hijrat ki ho, Allah Ta'ala ne Asmaan se meri Bara'at naazil farmayi ( yani mujh per lagne wale ilzam ko jhoota qaraar diya ) Rehmate Aalam ﷺ per is haalat me wahi aati thi k Mai'n Aapne saath lihaaf me leti hoti thi, Aap ﷺ ne is haalat me wafaat payi k Aap meri gardan aur goad ke darmiyan me they aur Din meri baari ka tha aur mere hi ghar dafan hue, Maine Jibrai'l Alaihissallam ko dekha, Mai'n Aan Hazrat ﷺ ki sabse pyari Bivi thi, Jis waqt Aap ﷺ ki wafaat hui us waqt mere aur Farishto ke alawa waha'n koi mojood nahi tha _," ( Al Asaba )*


*★_ Aan Hazrat ﷺ farmate hai'n :- "Ayesha ki Fazilat Aurto'n me esi hai jese Sareed ki Fazilat tamaam khaano per hai _," Sareed ko Arab me Tamaam Khaano me Fazilat haasil thi, Roti ko Shorvedaar gosht me pakaya jata tha, Use Sareed kehte Hai'n _,"*

[6/18, 9:53 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Jibrai'l Alaihissallam Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me haazir hue aur Aap ﷺ ke zariye Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko salam kiya, Aap ﷺ ne farmaya :- Ey Ayesha ! Ye Jibrai'l hai'n, Tumhe Salam keh rahe hai'n _," Aapne jawab me farmaya :- Wa Alaikum Assalam Wa Rahmatullahi WA Barakatuhu _,"*


*★_ Aap Aksar Roze rakhti thi'n, Chaasht ki namaz ka khaas khayal rakhti thi'n, Aap Chaasht ki 8 raka'ate padhti thi'n aur farmaya karti thi'n :- Mere Maa'n Baap bhi agar Qabr se uth kar aa jaye'n Tab bhi Mai'n is namaz ko nahi chhodungi _,"*


*★_ Hazrat Kaasim bin Muhammad bin Abi Bakar Reh. Subeh ke waqt ghar se nikalte to Sabse pehle Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke ghar jate aur unhe Salam karte, Ye unke Bhai ke bete they, Ek martaba waha'n gaye to dekha k Aap Nifl padh rahi hai'n, Mai'n unke Salam fairne ke intezar me khada raha,... Yaha'n tak k thak gaya aur Aapko usi haalat me chhod kar chala aaya, maine dekha wo us waqt ro rahi thi'n _, (Safatul Safwah )*


*★_ Aap Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke saath bhi Tahajjud padhti thi'n, Aap ﷺ ke baad bhi iska Ahatmam karti rahi'n _," ( Musnad Ahmad )*

*"_ Aap Kasrat se Roza rakhti thi, Ek martaba 9 Zihhijja ko Roze se thi'n, Sakht garmi ki vajah se Sar per Pani ke Chhee'nte de rahi thi'n, Aapke Bhai Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu ne ye haal dekh kar arz kiya :- "_ is Shadeed garmi me nifli Roza koi zaroori nahi.... Aftaar kar le'n ( Yani Roza tod de'n ) iske jawab me Aapne farmaya :- "_ Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya hai, Arfa ke Din Roza rakhne se Saal bhar ke Gunaah maaf ho jate hai'n _," ( Mishkaat )*


*★_ Shari'at ne jin cheezo se mana kiya hai Aap unme chhoti chhoti cheezo se bhi bachti thi'n, Raaste me ghanti ki awaaz aa jaati to ruk jaati taki Awaaz Kaano me na aaye, Nekiyo'n ko failane ke saath saath Buraiyo'n se rokti bhi thi'n, Aapne ek makaan kiraye per diya, Kirayedaar ke bare me Aapko maloom hua k wo Shatranj khelta hai, Aapne kehalwa bheja :- "is harkat se Baaz aa jao ...varna makaan se nikalwa dungi _,"*

[6/21, 5:08 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Aapki Mash'hoor Shagird Hazrat Ma'aza Adviya Raziyallahu Anha ne Aapse puchha :- "_Ye kya baat hai k Aurto'n ki Namaze Khaas Ayyam me chhoot jaati hai'n Wo nahi padhi jaati aur Jo Roze Chhoot jaate Hai'n Wo Ramzan ke baad rakhe jaate Hai'n _," is Sawal ke jawab me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "Ey Ma'aza ! Kya tu Azaad khayal ho gayi hai _," ( islam ko Apni samajh ka taabe karna chahti hai aur islam ke ahkamaat ko samjhe bager maanna pasand nahi karti )*

*"_ Aapka matlab ye tha k Deen ko Aqal ke taabe nahi karna chahiye... Jo log esa karte hai'n wo gumraah hai'n _,*


*★_ Shari'at me baaz Awqaat wazu ya Gusl ki jagah Tayammum kiya jaata hai, Ummat ke liye isme bahut asaani hai,.. ye Tayammum ka hukm bhi Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki vajah se Naazil hua, Waqie ki tafseel ye hai, Aap farmati hai'n :-*

*"_ Hum Rasulullah ﷺ ke saath Safar me gaye, bahut se Musalaman saath they, Raat ke waqt maqaame Bayda me qayaam kiya gaya, Waha'n mere haar ki ladi toot gayi, Aap ﷺ ne use dhoondhne ka hukm farmaya, is tarah Namaz me dayr ho gayi aur waha'n pani nahi tha, Yaani haar gum na hota to sab log aage rawana ho jaate aur paani mil jaata, is per kuchh log Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke paas aaye aur kehne lage :- Aap dekh rahe Hai'n Aapki beti ne kya kiya, Unke haar ki vajah se Aap ﷺ ne sabko rok liya hai aur Yaha'n qareeb kahi'n paani nahi hai _,"*


*★_ Unki baat Sun kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke paas aaye aur Aapko daa'ntne lage, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne unhe daa'ntne ke saatb kamar me kachoke bhi maare, Us waqt Aan Hazrat ﷺ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki raan per sar rakh kar so rahe they, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne is khayal se harkat tak na ki k Aapki Aan'kh khul jayegi aur Aap be araam ho'nge, Aap sote rahe Yaha'n tak k Subeh ho gayi aur paani mojood nahi tha, Lihaza Allah Ta'ala ne Tayammum ki aayat naazil farma di, Sabne Tayammum kiya aur Namaz ada ki, Ye sab dekh kar Hazrat Usaid bin Huzair Raziyallahu Anhu khushi se pukaare :- Ey Abu Bakar ke ghar walo ! Tum waqa'i bahut Barkat wale ho, Ye tumhari pehli hi Barkat nahi hai _," yani pehle bhi tum logo ki vajah se barkate naazil ho chuki hai'n _,"*


*★"_ Fir jab Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha wale oun't ko uthaya gaya to Aapka Haar uske niche se mil gaya, is tarah ummat ko Tayammum ki sahulat mili _,*

[6/22, 9:11 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aapke Bhanje Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu kehte Hain' :- Maine Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se badh kar Qur'an ka ilm rakhne wala koi nahi dekha, na islam ke fara'iz, Halaal v Haraam ka jaanne wala aur Arab ke Waqiaat ka jaanne wala Aapse badh kar koi dekha, Aap Ahle Arab ke Nasab ki bhi sabse zyada waaqif thi'n, iske alawa Aap hikmat bhi jaanti thi'n, logo ko amraaz ki davaye'n bata deti thi'n _,"*


*★_ Isliye Ek martaba Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se puchha :- Amma Jaan ! Mujhe Aapke Faqiha hone per hairat nahi kyunki Aap ﷺ ki Zoja Mohatram hai'n aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Sahabzaadi hai'n aur na mujhe Aapki Shayrdani per aur Arab ke Waqiaat se waqfiyat per hairat hai Kyunki Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki sohbat me Aapne Ye Sab seekh liya, lekin mujhe hairat is baat per hai k Aapko Tib se kyu'n kar waqfiyat ho gayi _,"*

*"_ is Sawal ke jawab me Aapne Hazrat Urwah ke kandhe per haath maar kar farmaya :- "_ Urwah Beta ! Tib maine is tarah seekhi k Aan Hazrat ﷺ Aakhri Umr me bimaar ho jate they aur Log door door se aaya karte they, Wo Aap ﷺ ko ilaaj ke tariqe aur davaye'n batate they aur Mai'n unke zariye Aapka ilaaj karti thi _,"*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha nihayat sakhi thi'n, Unki Behan Asma binte Abi Bakar Raziyallahu Anha ka bhi Sakhawat me bahut bada darja tha, Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- Maine Hazrat Ayesha aur Hazrat Asma se badh kar koi sakhi Aurat nahi dekhi lekin dono ki Sakhawat me ek farq ye tha k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha thoda thoda jama karti thi'n Yaha'n tak k jab kaafi miqdaar jama ho jati to Zarurat mando me taqseem farma deti thi'n aur Hazrat Asma Raziyallahu Anha ka haal ye tha k Kal ke liye kuchh bacha ke nahi rakhti thi'n _,"*


*★_ Hazrat Urwah Raziyallahu Anhu Apna Aankho'n dekha Waqia bayan farmate hai'n :- Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne ek Roz 79 hazaar ki maaliyat Zarurat mando me taqseem farma di aur Apna haal ye tha k taqseem karte waqt Aapke Kurte me Peband lage hue they _,"*

[6/22, 9:48 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu ne ek thaali Sachche Moti bhar kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me Bator Hadiya bheje, Unki qeemat ek laakh rupiya thi, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ye Hadiya Qubool kar ke Apne alawa Aan Hazrat ﷺ ki tamaam Biviyo me taqseem farma diya _,"*


*★_ Ek Roz Aapka Roza tha, Usi Roz Aapke Bhaanje Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne do bore bhar kar Hadiya ke tor par bhej diye, Us maal ki maaliyat Do laakh ke qareeb thi, Aap usi waqt taqseem karne Beth gayi'n, Jab Shaam hui to usme se ek dirham bhi baqi nahi bacha, Roza Aftaar karne ka waqt aaya to khaadima se farmaya :- Aftaar ke liye kuchh laao _," wo Zaitoon ka tel aur Roti le aayi'n, Us waqt Aapke paas ek khatoon Umme Zar'a bethi thi'n, Unka bhi Roza tha, Wo bol uthi'n :- Aapne Aaj itna maal taqseem kiya, usme se ek dirham Apne liye bhi rakh liya hota, Uska gosht manga lete, Usse hum Aftaar kar lete _,"*

*"_ is per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Ab kehne se kya hota hai, Us waqt yaad dilaya hota to Mai'n rakh leti _,"*


*★_ Ek Waqia Aap khud bayan farmati hai'n :- Ek Din mere paas ek Aurat aayi, Uske Saath do ladkiya'n thi, Usne Sawal kiya, Us waqt mere paas ek Khajoor ke siva kuchh nahi tha, Maine wahi use de di, Usne us Khajoor ke do tukde kiye aur ek ek tukda dono bachchiyo ko de diya, Khud na liya, Uske baad wo chali gayi, Thodi der baad Rehmate Aalam ﷺ Zanaan Khaane me tashreef laye, Maine Aapse ye Waqia bayan kiya, Aapne farmaya :-*

*"_ Jo Shakhs un Bachchiyo ki Parwarish me thoda bahut bhi mubtila kiya gaya aur usne unke saath achchha bartaav kiya, to ye ladkiya'n uske liye Dozakh se Aad ban jayengi _,"*


*★_ Ek Roz Aapke ghar me bakri zibeh ki gayi, Aan Hazrat ﷺ us waqt kisi zarurat ke tahat bahar tashreef le gaye, Kuchh der baad tashreef laye to daryaft farmaya :- "_ Bakri ka kya hua ? Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Wo to Sadqa kar di gayi, bas ek dasti bachi hai _,"*

*"_ is per Aapne farmaya :- Waqia ye hai k is dasti ke alawa sab kuchh bacha hua hai ?" Matlab ye tha k Jo Allah ke raaste me de diya, baqi wohi hai aur Jo hamare paas hai use to baqi kehna durust nahi _,"*

[6/26, 8:40 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap Allah Ta'ala se bahut darne wali, Aakhirat ki bahut Fikr karne wali thi'n, Ek martaba Dozakh ka khayal aa gaya to Rone lagi'n, Aap ﷺ ne rone ka sabab puchha to boli :- Dozakh ka khayal aa gaya, isliye ro rahi hu'n _,"*

*_ Ek Roz Aap ﷺ se kehne lagi'n :- Ey Allah ke Rasool ! jabse Aapne Munkar Nakeer ki haibat naal Awaaz ka aur Qabr ke bhee'nche jane ka zikr farmaya hai, us waqt se mujhe kisi cheez se tasalli nahi hoti, Dil ki pareshani door nahi hoti _,"*

*"_ Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Ey Ayesha ! Munkar Nakeer ki Awaaz ka momin ke kaano ko dabana esa hota hai Jese Kisi ke sar me dard ho aur Uski Shafeeq Maa'n uske sar ko Aahista Aahista dabaye aur wo usse Raahat paye _,"*


*★_ Fir Aapne farmaya :- Ey Ayesha ! Allah ke bare me Shak karne walo ke bare me badi kharabi hai aur Wo Qabr me is tarah bhee'nche jayenge jese Ande per patthar rakh kar daba diya jaye _,"*


*★_ Aap farmati hai'n k ek roz Aapke ghar me ek Yahoodi Aurat aayi, Usne Qabr ke Azaab ka zikr kiya, Saath hi usne kaha :- Allah Ta'ala tujhe Qabr ke Azaab se panaah me rakhe _,"*

*"_ Aan Hazrat ﷺ ghar me tashreef laye to maine Aapse puchha :- Ey Allah ke Rasool ! Kya Qabr me Azaab hota hai ? Aapne irshad farmaya :- Qabr ka Azaab Haq hai _," iske baad maine dekha k Aap ﷺ har Namaz ke baad Qabr ke Azaab se panaah maangne lage _,"*


*★_ Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne Apni khaala ki be panaah Sakhawat ko dekh kae ek din kisi se yu'n keh diya :- Ya to wo is tarah kharch karne se ruk jaye'n Varna Mai'n unka haath rok dunga _,"*

*"_Ye baat Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha tak bhi pahunch gayi, Aapne farmaya :- Achchha ? Abdullah ne esa kaha hai _," Haazireen me se kisi ne kaha :- Ji haa'n ! Unhone esa hi kaha hai _," Ye sun kar Aapne farmaya :- Maine Nazar maan li, Zuber Raziyallahu Anhu ke Bete se kabhi nahi bolungi _,*

*"_ Uske baad Ek muddat se bol chaal band rakhi, Fir kuchh Hazraat darmiyan me pade, Tab kahi'n ja kar bolna shuru kiya, Aap Chunki Nazar maan chuki thi'n aur Nazar ke tootne per ek gulaam Azaad karna padta hai, isliye ek gulaam Azaad kar diya, Lekin Khofe Khuda ka Aalam ye tha k ek Gulaam Azaad karne ke baad bhi baat baar is silsile me gulaam Azaad karti rahi'n k shayad ab khata maaf ho jaye, Ab maaf ho jaye _,"*

[6/27, 9:09 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aapse Umr me Chand Saal badi thi'n, lekin Unki Shaadi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se baad me hui thi, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Aap ﷺ ke ghar me pehle aa gayi'n thi'n, Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki Shaadi ki Taiyariyo me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne bharpoor hissa liya, Unka makaan leepa, Bistar lagaya, Apne haath se khajoor ki Chhaal dhun kar Takiye banaye, Lakdi ki Alagni Taiyar ki taki us per Pani ki mashq aur kapde latkaye jaye'n, Aap khud bayan karti hai'n :- Fatima Raziyallahu Anha ke Byaah se Achchha maine koi Byaah nahi dekha _,"*


*★"_ Shaadi ke baad Hazrat Fatima Raziyallahu Anha jis ghar me gayi'n, Usme aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Hujre me Sirf ek diwaar ka faasla tha, darmiyan me ek daricha tha, Us dariche se aapas me baat cheet ho jati _,*

*"_ Hadees ki Kitaabo me koi Sahi Waqia esa nahi jisse saabit ho k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke Dil aapas me saaf nahi they, Ahadees se yahi saabit hai k dono me behad Muhabbat aur Mel milaap tha _,"*


*★_ Ek Taaba'i ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se poochha :- Aan Hazrat ﷺ ko sabse zyada mehboob kon tha _," Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- " Fatima ",*

*"_ Fir farmaya :- maine Fatima se zyada uthne bethne ke tareeqo me Aan Hazrat ﷺ se milta julta kisi aur ko nahi dekha, Jab Fatima Raziyallahu Anha Aap ﷺ ki khidmat me aati to Aap khade ho jate, Unki Peshani choom lete aur Apni jagah per bithaate _," ( Muslim )"*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Ek din hum sab Biviya'n Aap ﷺ ke paas bethi thi'n k Fatima Raziyallahu Anha aa gayi'n, Unki chaal bilkul Aan Hazrat ﷺ ki chaal hai thi, zara bhi farq nahi tha, Aap ﷺ ne nihayat izzat se unko paas bithaya, Fir dabi awaaz me unke kaan me kuchh farmaya, Wo sun kar rone lagi'n, Aan Hazrat ﷺ ne unki beqarari dekh kar fir kaan me kuchh farmaya to wo ha'nsne lagi'n _,*

*"_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n, Maine unse kaha:- Fatima ! Aan Hazrat ﷺ sirf tumse raaz ki baate kehte Hai'n aur tum roti ho _,"*.

*"_ Fir Jab Aap ﷺ waha'n se chale gaye to maine unse puchha :- Fatima ! Aap ﷺ kya farma rahe they ? Is per Hazrat Fatima Raziyallahu Anha boli'n :- Mai'n Baap ka Raaz nahi kholungi _,"*

*"_ Fir jab Aap ﷺ ka Inteqal ho gaya to maine dobara kaha :- Fatima ! Mera tum per jo haq hai, Mai'n tumhe uska Waasta deti hu'n, Us din ki baat mujhse keh do _," Unhone Jawab diya :- Haa'n ! Ab ye mumkin hai, mere rone ka sabab ye tha k Aap ﷺ ne apni jald wafaat ki ittela di thi, us per Mai'n rone lagi, fir Aapne farmaya, Fatima kya tumhe ye pasand nahi k tum tamaam duniya ki Aurto'n se ki Sardaar bano _," ( Bukhari )*


*★_ Is Hadees Hazrat Ayesha aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki aapas ke muhabbat bhare Talluqaat saabit hote hai'n aur ye Waqia Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ki umar ke aakhri hisse ka Waqia hai, Ab jo log ye kehte Hai'n k unme to Aapas me naraazgi thi wo bilkul galat kehte Hai'n, isi tarah virasat vagera ke Mamlaat ne un paak nufoos ko koi ranj vagera nahi pahunchaya tha, Ye muqaddas hastiya'n kya zameen jaydaad ke liye jhagadti, hargiz nahi _,"*

[6/28, 6:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab hum Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Zindgi ki Sabse zyada dardnaak Waqie ki tafseel bayan karte hai'n, Aan Hazrat ﷺ jab kisi Safar per jate to Azwaaj Mutahraat me Qurra Andazi farmate, Qurra Andazi me jinka naam nikal aata Aap Safar me unhe saath le jate, Sha'ban 5 Hijri me Nabi Kareem ﷺ Gazwa Bani Mustlaq ke liye rawana hue, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki ek badi tadaad Aapke saath thi, Munafiqo ko andaza tha k is Gazwe me koi Khoo'nrez Jung nahi hogi Chuna'nche unki Achchhi khaasi tadaad islami lashkar me shamil ho gayi, isse pehle Munafiq log itni badi tadaad me islami lashkar me kabhi shamil nahi hue they_,"*


*★_ is Safar me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke naam Qurra nikla tha, Lihaza Aap saath thi'n, Rawana hote waqt Aapne Apni badi Behan Hazrat Asma Raziyallahu Anha ka haar pehanne ke liye le liya tha, Wo Aapke gale me tha, Haar ki ladiya'n Kamzor thi, baar baar toot jati thi, Us zamane me Parde ka hukm naazil ho chuka tha, Is per Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne muhammil me sawaar hoti thi'n, Doli ki qism ki cheez ko muhammil kehte Hai'n, Aap usme beth jati aur Muhammil ko oun't per rakh diya jata, Utarne ki zarurat pesh aati to khaadim muhammil ko utha kar zameen per rakh dete, is tarah Aap Muhammil se bahar nikal kar Apni zarurat se faarig ho leti'n,*


*★_ Gazwa Bani Mustalaq se waapsi per ek jagah Lashkar ne padaav kiya, Aap ﷺ ne raat ke pichhle pehar Lashkar ko rawangi ka hukm farma diya, Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko is baat ka ilm nahi tha, Qafila ke rawana hone se kuchh der pehle Aap Qaza E Haajat ke liye Qafile se kuchh door Chali gayi'n, Faarig ho kar Lauti to gale per haath rakh kar tatola, Maloom hua haar gale me nahi tha, Aap ghabrahat me us jagah se waapas gayi'n aur haar talash karne lagi'n _,"*


*★_ Baaz Rivayaat me hai k Haar waha'n toot kar gir gaya tha aur uske daane bikhar gaye they, Un Daano ko jama karne me Aapko der ho gayi, Jab Aap haar ki talash me waapas Lauti thi'n to Aapko andaza tha k jald laut aayengi, isliye Kisi ko na bataya k wo haar ki talash me ja rahi hai'n, na muhammil uthane walo ko bataya _,*


*★_ Udhar Lashkar rawangi ke liye taiyaar tha, Lihaza Saarbano ne Muhammil utha kar oun't per rakh diya, us zamane me Aap dubli patli thi'n, Aapka Wazan bahut kam tha, isliye muhammil uthane walo ko pata na chala k Aap usme nahi hai'n, Unka khayal yahi tha k Aap Muhammil me hai'n, is tarah Qafila waha'n se Aapke bager rawana ho gaya, Aapko Haar ke Daane mil gaye to Aap waapas lauti'n aur dekh kar pareshan ho gayi'n k Qafila waha'n se ja chuka tha, Waha'n bilkul sannata tha, Aapne socha jab Rasoole Kareem ﷺ ko maloom hoga k Mai'n Muhammil me nahi hu'n to Aap meri talash me kuchh Saathiyo ko isi taraf bhej denge, Ye soch kar Aapne Chaadar taani aur ek darakht ke niche let gayi'n, Let te hi Aapko neend ne aa liya _,"*

[6/28, 6:29 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Safwan bin Mut'al Sulmi Raziyllahu Anhu ek Sahabi they, unki zimmedari ye thi k wo Lashkar ke Pichhe Raha Karte they Taki Kisi Ka koi Samaan reh Jaye ya gir Jaye to utha liya kare ,Us Roz bhi Lashkar se Pichhe they, Chunache jab ye us Jagah pahunche Jaha'n Qafila tha ...to unhone Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko door SE Dekha aur khayal Kiya k koi Aadmi soya hua hai , Nazdeek Aaye to unhone Aapko Pehchan liya, Aapko dekhte hi Unhone, inna lillahi wa inna ilaihi Rajiuon, padha,*


*★"_ Unki Awaaz sun Kar Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha jaag gayi'n ,Unhe dekhte hi Aapne Apni Chaadar Apne Chehre per daal li ,*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha Farmati Hai'n :- Safwaan Sulmi Raziyllahu Anhu hairatzada they k ye kya hua , Lekin moonh SE Unhone ek lafz na Kaha ,na Mai'ne unse koi Baat ki , Unhone Apni ountni ko mere qareeb bitha diya aur Sirf itna Kaha :- Maa'n ! Sawaar ho jaiye_,"*

*"_Maine ount per sawaar Hote Waqt Kaha :- "_ Hasbiyallu wa ni'amal wakeel _,"*

*( Allah Ta'ala ki zaat hi mujhe kaafi hai aur Wohi Mera Behtar Sahara hai ) fir mere sawaar hone ke baad Unhone ount ko uthaya aur uski muhaar Pakad Kar Aage rawana hue, Yaha'n tak k Lashkar me pahunch gaye, Lashkar us Waqt nakhle zahira ke Muqaam per Padaav daale hue tha aur Wo dopahar Ka Waqt tha ,_,*


★_ Is Aham tareen Waqie me aur bhi bahut si hikmate mojood hai'n, Unme se ek ye hai k Qurane Kareem Aan Hazrat ﷺ ki banayi hui kitaab nahi hai, Varna ek maah tak Apni Zoja Mohatram ko aur unke Maa'n Baap ko rulane ki kya zarurat thi, Aap foran ye farma dete k ye bahut bada bohtaan hai, Balki ye elaan Allah Ta'ala ki taraf se taqriban ek maah baad hua _,"*


*★"_ Aur ye bhi maloom hua k Allah Ta'ala ki taraf se jo wahi naazil hoti thi, Use chhipane ka Akhtyar Aan Hazrat ﷺ ko nahi tha, Jo kuchh Naazil hota tha, Wo Aap doosro ko sunate they, Lihaza ye poora Waqia Musalmano ke liye khayr hi Khayr hai _,"*


*★_ Ye bhi saabit hua k Huzoor Nabi Akram ﷺ ko tamaam Chhipi aur Gaa'ib baato ka har har cheez ka ilm nahi tha, Ye Jaahilo ka Aqeeda hai k Paigambar aur Wali sab kuchh jaante hai'n, Sahi Aqeeda jo Qur'an v Sunnat se saabit hai ye hai k Aalimul Gaib har Shay ka ilm rakhne wala Sirf Allah Ta'ala hai, Huzoor Nabi Akram ﷺ ko Allah Ta'ala ne Saari Makhlooq se zyada ilm ata kiya tha magar Aalimul Gaib nahi banaya tha, Agar Aalimul Gaib hote to itne dino tak wahi ka intezar kyu farmate _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ka mamool tha k Asr ki namaz ke baad thodi thodi der ke liye tamaam Azwaaj Mutahraat ke paas beth te they, is mamool me qadre farq is tarah aaya k Aap Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n kuchh zyada waqt ke liye bethne lage, Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne iski vajah maloom karne ki koshish ki to pata chala, Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n kahi'n se Shehad aa gaya, Aapko Chu'nki Shehad bahut pasand tha, isliye Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Aapko Shehad pesh karti thi'n, So is vajah se qadre zyada waqt lag jata tha _,"*   


[7/4, 9:18 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha aur Sayyada Sauda Raziyallahu Anha se is baat ka zikr kiya aur mashwara kiya k is silsile me koi Tadbeer karni chahiye, Aap ﷺ bahut nafasat pasand they, Zara si boo bhi Aapko nagawaar guzarti thi, aur Shehad ki Makkhiya'n Jis qism ke foolo se ras choosti hai'n Shehad ki mithaas me us qism ke foolo ki lazzat aur boo hoti hai, Arab me ek Fool ka naam mugafeer hai, Ye qadre tez boo wala fool hai, Shehad ki Makkhiya'n aam tor per waha'n us fool per bethti hai'n, Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne dono ko samjha diya k Jab Aap ﷺ tashreef Laye'n to poochhna chahiye k Aapke moo'nh se ye boo kesi aa rahi hai, Jab Aapko bataye'n k Shehad khaya hai to kehna chahiye k isme Mugafeer ki boo hai, esa hi kiya gaya, Jab Aapko maloom hua k moo'nh se Mugafeer ki boo aati hai to Aapne irshad farmaya :- "_ Theek hai ! Ab Mai'n Shehad nahi khaunga _,"*


*★_ Is per Allah Ta'ala ne foran ye Aayat naazil farmayi :- "_ Ey Paigambar ! Allah ne Aapke liye Jo halaal kiya hai, use Apni Biviyo'n ki khushi ke liye Apne Ouper kyu haraam karte ho, Allah Bakhshne wala Meharban hai aur usne Aapki qasam ka kaffara muqarrar kar diya hai, Allah Ta'ala Aapka Maula aur ilm v Hikmat wala hai _," ( Surah Tehreem -10)*


*★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki umr abi Sirf 18 saal ki thi k Aan Hazrat ﷺ ka is Duniya se rukhsat hone ka waqt aa gaya, 11 Hijri me Maah Safar ki Aakhri Tareekho me ek Roz Aan Hazrat ﷺ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ke Hujre me tashreef laye to Aapke Sar me dard tha, Waha'n se Aap Sayyada Maimuna Raziyallahu Anha ke Yaha'n tashreef le gaye aur Tabiyat kharaab hone ki vajah se bistar per let gaye, Tamaam Biviyo'n ko Aapki Tabiyat ki kharabi ki khabar ho gayi, Sab Aapke gird jama ho gayi'n, Unhone mehsoos kiya k Aap Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Yaha'n qayaam karna chahte hai'n, Chuna'nche sabne khushi se ijazat de di, Aap waha'n se Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ke Yaha'n tashreef le aaye aur is duniya me Aakhri waqt tak fir Wahi'n rahe aur Yahi vajah hai k Aapke Inteqal ke waqt ki jis qadar bhi Rivayaat hai'n, Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha hi se Rivayat ki gayi hai'n _,"*

[7/4, 11:57 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sar dard ke saath Aapko bukhaar bhi ho gaya tha aur marz me Roz ba Roz Shiddat aa rahi thi, Aapki Azwaaj Mutahraat timaardaari me lagi thi'n aur Allah Ta'ala se Aapki Sehat ke liye Duae'n kar rahi'n thi'n, Lekin Aap ﷺ ke Visaal ka waqt aa chuka tha, Wafaat ke waqt Aap ﷺ ka Sar Mubarak Sayyada Ayesha ki god me tha, Aap farmati hai'n :- Achanak mujhe Aapke Badan ka bojh mehsoos hua, Aapki Aankhe'n dekhi'n wo khuli thi'n, Maine Aapka Sar Mubarak Takiye per rakh diya aur rone lagi _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Hujre me dafan kiya gaya aur ye Jannat ke Tokdo me se ek tukda hai, Ek martaba Sayyada ne khwab me dekha tha k Teen Chaand toot kar Aapke Hujre me aa gire hai'n, Aapne is khwab ka zikr Apne Waalid Muhatram Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se kiya tha, Jab Sarkare Aalam ﷺ us Hujre me dafan hue to Sayyadna Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne farmaya :- "_ Teen Chaando me se ek ye hai aur Unme Sabse behtar hai _,"*

*"_ Baad ke Waqiaat ne saabit kar diya k doosre do chaand Hazrat Abu Bakar Siddiq aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum they Jinhe Aap ﷺ ke saath dafan hone ki Sa'adat Naseeb hui _,"*


*★_ Huzoor ﷺ ki wafaat ke baad ab Aap Beva thi'n, isi aalam me Aapne Apni Zindgi ke 50 Saal basar kiye, Aap Aap ﷺ ki qabr mubarak ke paas hi soti rahi'n, Lekin fir Aap ﷺ ko khwab me dekha to waha'n sona chhod diya, Taham Hujre me aana jana na chhoda, Fir Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki wafaat ho gayi aur Aapko bhi Roza Mubarak me dafan kiya gaya, is per bhi Aap aati jati rahi'n aur andar chehra dhaa'nk kar nahi rakhti thi'n, Lekin jab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki shahadat hui aur Aapko waha'n dafan kiya gaya to fir Aap Parda kar ke waha'n aane lagi'n, is bare me Aap farmati hai'n :- "_ Ab Yaha'n be Parda aate Haya aati hai _,"*


*★_ Huzoor ﷺ ki wafaat ke baad Aapke Waalid Buzurgwaar ko khalifa chuna gaya, Azwaaj Mutahraat Raziyallahu Anhuma ne ek Roz chaha k Virasat haasil karne ke liye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke paas Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko apna numainda bana kar bheje'n, Lekin Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne unhe yaad dilaya :- "_ Aan Hazrat ﷺ ne Apni zindgi mubarak me farmaya tha, Hum Ambiya ka koi Vaaris nahi hota, Hum jo chhodte hai'n, Wo Sadqa hoga _,"*

*"_ Ye Sun kar sab Khamosh Ho gayi'n _,*

[7/5, 8:33 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyadna Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu 2 saal tak khalifa rahe, 13 Hijri me Aapka Inteqal ho gaya, Naza ke waqt Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir thi'n, Aapne unse puchha:- Allah ke Rasool ﷺ ke kafan me kitne kapde they ? Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne bataya :- Teen Safed Kapde _,"*

*"_ Unhone Puchha :- Aapne Kis Roz wafaat payi thi ? Sayyada ne jawab diya :- Peer ke Roz _,"*

*"_ Aapne puchha :- Aaj konsa Din hai ? Unhone bataya :- Aaj peer hai_," is per Abu Bakar Siddiq ne farmaya :- Aaj Raat tak mera bhi chal chalao hai _," fir farmaya :- "Mujhe inhi kapdo me dafan kiya jaye _," Unse kaha gaya :- Ye purane kapde hai'n _, Aapne farmaya :- "Naye Kapdo ki zarurat Murdo'n ki nisbat Zibdo'n ko zyada hai _," ( Bukhari )*


*★_ Aap usi Roz inteqal kar gaye, Aapko bhi Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Hujre me Aap ﷺ ke pehlu me dafan kiya gaya, Ye doosra Chaand tha jo Aapke Hujre me utar aaya tha_,"*


*★_ Sayyadna Farooq Raziyallahu Anhu ke zamane me Tamaam Azwaaj Mutahraat ko 12 hazaar dirham salana diya jata tha, Kisi ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se puchha :- Aapne unke liye ye raqam kyu muqarrar ki ? Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne jawab diya :- Ye sab Huzoor ﷺ ki mehboob aur Manzoore Nazar thi'n_,"*

*"_ Iraaq Fateh hua to maale ganimat me Motiyo'n ki ek Dibiya bhi thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne logo se kaha :- Agar Aap log ijazat de'n to Mai'n ye Moti Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko de du'n, Kyunki Sayyada Ayesha Huzoor Akram ﷺ ki bahut Mehboob thi'n _,"*

*"_ Sabne khushi se ijazat de di, Chuna'nche Dibiya Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko bhej di gayi _,"*


*★_ Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ki khwahish thi k Aan Hazrat ﷺ ke saath dafan Ho'n, Lekin Aapne is khwahish ka kabhi izhaar nahi kiya tha, Jab Aapka aakhri waqt aa pahu'ncha tab ye khwahish zaahir ki aur Apne Bete Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ko Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me bheja aur unse farmaya :- "_ Ummul Momineen ko meri taraf se Salam kehna aur arz karna, Umar ki khwahish hai k Wo Apne Rafeeqo ke pehlu me dafan ho_,"*

*"_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki khwahish sun kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Wo jagah maine Apne liye rakhi thi lekin Umar ki khwahish ke liye unke liye ye ijazat deti hu'n _,"*

*"_ Chuna'nche Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ko Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Hujre me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke pehlu me dafan kiya gaya, is tarah us Hujre me Teesra Chaand utar aaya _,*

[7/6, 6:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap tamaam Musalmano ki Maa'n thi'n, Musalamano ko unse Bahut Muhabbat thi, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke daur me Aapne ek Maa'n hone ke naate bahut aham kirdaar ada kiya, Sayyadna Usman Raziyallahu Anhu ke daur me Abdullah ibne Saba ne islami saltnat ke khilaaf ek bahut badi Saazish shuru ki, Ye Shakhs Yahoodi tha, bas Zaahir me musalman tha, Usne Saazish ka ek jaal chaaro taraf bichha diya, Aaj Tak musalaman us Saazish ke nuqsanaat bhugat rahe Hai'n_,"*


*★_ Uski Saazish ka Asal nukta ye tha k Logo'n me kehta firta tha :- Logo'n ! Aan Hazrat ﷺ ke baad unke asal Jaa'nasheen dar Asal Hazrat Ali Raziyallahu Anhu hai'n aur Aan Hazrat ﷺ ne unke bare me Vasiyat kar di thi k mere baad unhe khalifa banaya jaye _,"*


*★_ Ye baat le kar usne saare islami riyasat ka daura kiya, Har taraf ye baat khoob failayi, Us zamane me Koofa, Basra aur Misr me islami fauj ki badi badi chhavniya'n thi'n, Waha'n usne zyada koshish ki aur usne bahut se Logo'n ko apna hum khayal bana liya, Hajj ka Zamana aaya to ye sab log Hijaaz pahunch gaye aur waha'n bhi in baato ko failane lage _,"*


*★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur doosre bade bade Sahaba ne unhe Samjhaya aur waapas jaane per Aamada kar liya, Ye log chale to gaye lekin kuchh door ja kar fir lot aaye, Sahaba Kiraam ko unke dobara aane ki ittela mili to foran unke paas pahunche, inme Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bhi they, Aapne unse puchha :- Kya baat hai, tum fir aa gaye ?*

*"_ Is per unme se ek ne kaha :- hamare paas ek khat hai, ye khat misr ke governor ke naam likha gaya hai, is khat me Unhone likha hai k Jab ye log Misr pahunche to unke Sargano ko foran qatl kar do, Baaqiyo ko qaid me daal do aur ye khat Marwaan bin Hakam ke haath ka likha hua hai _,"*


*★_ Unka matlab ye tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Marwaan bin Hakam ke haath se likhwaya hai, Marwaan Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke qareebi Rishtedar they, Us khat per Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki muhar bhi lagi hui thi_,*


*★_ Aur iske baad un Logo'n ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ko ghere me le liya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur doosre Sahaba majbooran Apne gharo ko lot gaye,*

*"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne elaan farmaya k ye khat Unhone nahi likhwaya, Iska saaf matlab ye tha k Khat Jaali tha aur Baagiyo ne khud likha tha, Saazishi log is qism ke kaam na kare to un per Yaqeen kon kare, Bahar haal ye unki chaal thi, Wo har haal me Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed karna chahte they Taki ummate Muslima me Khaana Jungiyo ka agaaz ho jaye aur Aakhirkaar unhone Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko 40 Roz ke muhaasre ke baad Shaheed kar diya,*

[7/7, 6:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Us waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hajj ke iraade se Makka Muazzama gayi'n hui'n thi'n, Madina Munavvara me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Khalifa muqarrar kar diya gaya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka qatl koi mamooli Waqia nahi tha, Har taraf bechaini fail gayi thi, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hajj se faarig ho kar Makka se nikal chuki thi'n k Madina Munavvara ki taraf se Hazrat Talha aur Hazrat Zubair Raziyallahu Anhum aa gaye, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu Qureshi hai'n, Sabse pehle islam lane wali me shamil hai'n, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Damaad hai'n aur is lihaaz se Aan Hazrat ﷺ ke hum zulf hai'n aur fir Ashra Mubasshara me shamil hai'n, Isi tarah Hazrat Zubair bin Awaam Raziyallahu Anhu bhi Ashra Mubasshara me shamil hai'n, Sabse pehle imaan lane wali me shamil hai'n, Aap bhi Nabi Kareem ﷺ ke hum zulf they, Yani Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Damaad they, Sahabi e Rasool they,*


*★_ Unhone Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko bataya :- Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Fitna Parwazo ne Shaheed kar diya hai aur Shadeed Abtri paida ho gayi hai, Logo'n ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haath per Bayt kar li hai_,"*

*"_ is per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya :- Hume Sochna hoga k ab kya kiya jaye _,"*

*"_ Ab ye Hazraat waapas Makka Muazzama aa gaye, Logo'n ko Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ki ittela mili to inke ird gird jama hone lage_,*


*★_ Is moqe per Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Qurane Kareem ki aayat tilawat ki, uska Tarjuma ye hai :-*

*"_ Agar Musalamano ki do jama'ate aapas me lad pade to dono ke darmiyan suleh kara do, Pas agar ek Jama'at doosri pet zulm kare to Zulm karne wali Jama'at se lado Yaha'n tak k wo Allah ke hukm ki taraf ruju kar le to dono me suleh kara do _," ( Surah Al Hujraat -1)*


*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne un Logo'n ko Allah ka ye hukm sunaya, Aap bahut bahadur thi'n, Aan Hazrat ﷺ ke zamane me baaz gazwaat me Shareek reh chuki thi'n, Aap Gazwa Badar me bhi gayi thi'n, Gazwa Uhad me jab musalaman dushmano me ghir gaye they aur bahaduro ke Paa'nv ukhad rahe they to Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha mashk kaandhe per daal kar zakhmiyo ko daud daud kar pani pila rahi thi'n, Gazwa Khandaq me jab musalaman ghere me they to Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Zanana qile se nikal kar Jung ki haalat dekha karti thi'n _,"* *( Musnad Imaam Ahmad )*


*★_ Matlab ye k bahut diler thi'n, Musalamano ki islah karne ki khwahish mand thi'n, is moqe per isiliye Aapne ye Aayat tilawat ki, Aapne un Sabse ye bhi farmaya :- Allah ki qasam ! Usman mazloom maare gaye, Mai'n Unke khoon ka badla lungi, Afsos idhar udhar se aaye hue balwaiyo ne madina ke gulamo ke saath mil kar Balwa kiya, Unhone nahaq Usman ki mukhalfat ki, Jis khoon ko Allah Ta'ala ne haraam kiya tha, Unhone usko bahaya, Jis ghar ko Allah Ta'ala ne Apne Rasool ka Darul Hijrat banaya tha, Unhone waha'n Khoo'nrezi ki aur Jis Mahine me Khoo'nrezi mana thi, Us mahine me Khoo'nrezi ki, Jiska maal lena Jaa'iz nahi tha, use loota, Allah ki qasam Usman Raziyallahu Anhu ki ek ungli Balwaiyo jese tamaam Logo'n se Afzal hai, Jis vajah se ye log Usman Raziyallahu Anhu ke dushman hue they, Usman Raziyallahu Anhu usse paak saaf hai'n _,*

[7/10, 7:26 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Arab ke Ra'ieso ne Ka'i laakh dirham aur Sawariyo ke oun't muhayya kiye, Fir Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki qayamgaah per jalsa hua, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki raay ye thi :- is waqt Chu'nki Saba'i log aur Baagi Madina Munavvara hi me Hai'n, isliye udhar ka rukh kiya jaye _,"*

*"_ is per kuchh logo ne mashware diye aur Aakhir tay ye paya k pehle Basra chala jaye,.. Aakhir Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha us Qafile ke saath Basra rawana hui'n,, Ummahatul Momineen aur Aam Musalamano ne door tak aa kae is Qafile ko rukhsat kiya, Us waqt wo log ro rahe they aur keh rahe they :- Aah ! Musalmano per kitna nazuk waqt aaya hai _,"*


*★_ is moqe per Kuchh Fitna Parwar log bhi is Jama'at me shamil ho gaye, islam ko andar hi andar kamzor karne wale log shuru se chale aaye they, Lekin pehle unhe Khul kar kaam karne ka moqa nahi mil saka tha, Unki Pehli Koshish Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko Shaheed karne ki soorat me kamyaab hui thi,.. aur doosri koshish thi Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed karne ki,.. Jab unhone dekha k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha foj le kar Makka se nikal chuki hai'n to unke liye Foj me shamil hona asaan kaam tha _,"*


*★_ Aap Makka se rawana hui'n to Ek Basti ke Kutte Lashkar per bho'nkne lage, is muqam ek rivayat bayan ki jati hai ... Pehle wo rivayat naqal ki jati hai :-*

*"_ Ek martaba Aan Hazrat ﷺ ne Apni Azwaaj ko mukhatib karte hue farmaya tha k Tumme se na jane kon hogi Jis per Hawaab ke kutte bho'nkenge _,"*

*"_ Hawaab kisi Basti ka naam tha, in Alfaz ka matlab ye tha k us waqt wo Bivi galti per Ho'ngi, Ye Rivayat Tibri Jild 3 ke Safa 475 per hai, iske bare me 3 tarah ki baate likhi gayi hai'n, Ek ye k wo Basti Hawaab ki hi thi magar logo ne Aapko maloom nahi hone diya, Doosri Rivayat ye hai k Wo Basti Hawaab ki nahi thi, Teesri ye k ye rivayat hai hi Ghadi hui _,"*

*"_ Teeno Soorto me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Be Qasoor thehri hai'n, is tarah nikalna dar Asal Aapka ijtihaad tha aur esa Aapne Surah Al Hujraat ki Aayat ke tahat kiya tha,*


*★_ Baaz Rivayaat me hai k Kutto ka bho'nkna sun kar Jab Aapne puchha k ye konsi Basti hai aur Aapko bataya gaya k ye Hawaab ki Basti hai, To Aapne farmaya :- Tab to Mai'n Yaha'n se Waapas jati hu'n _,"*

*"_ Ye Sun kar Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Aap waapas jana chahti hai'n... kya khabar ... Allah Ta'ala Aapke zariye logo me Sulah kara de _,"*

*"_ Kuchh aur logo ne bhi kaha :- balki Aap aage badhe'n, Musalaman Aapko dekhenge to Sulah kar lenge _,"*

*"_ Baaz Rivayaat me hai k us waqt Ka'i logo ne Yaqeen ke saath kaha k ye Basti koi aur hai, Hawaab nahi hai, in Rivayaat se ye baat saabit ho jati hai k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka is tarah nikalne ka maqsad sirf Musalamano ke darmiyan Sulah karana tha, Aap Jung ke iraade se nahi nikli thi'n _,"*

[7/11, 7:18 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Udhar Hazrar Ali Raziyallahu Anhu ko jab maloom hua k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Saath ek Jama'at ko le kar nikli hai'n To Aap Madina Munavvara se nikal khade hue, Us waqt Koofa me Ameer Hazrat Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu they, Unhone logo ko pur Sukoon rehne ki hidayat ki _,"*


*★_ Udhar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu aur Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko Koofa rawana farmaya, Un dono ne Koofa ki jaama masjid me taqreer ki aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Fazilat bayan ki... Uske baad unhone kaha :- Ye sab theek hai, Lekin is waqt Allah Ta'ala Musalamano ka imtehan le raha hai _,"*


*★_ Musalaman pareshan they, Ek taraf Aan Hazrat ﷺ ki Bivi thi'n, Doosri taraf Aap ﷺ ke Damaad they, Logo ki uljhan ye thi k in halaat me wo kiska saath de'n, Ese me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Basra ke qareeb pahunch gayi'n, Basra ke Haakim Usman bin Haneef they, Unhone Soorate haal maloom karne ke liye do Aadmiyo ko bheja, Ye dono Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me haazir hue, Unhone kaha :- Hume Basra Ke Waali Usman bin Haneef ne Aapki khidmat me bheja hai, Wo jaanna chahte hai'n k Aap kisliye Tashreef layi'n hai'n _,"*


*★_ Unki baat ke jawab me Aapne farmaya :- Allah ki qasam ! mujh jese log kisi baat ko chhupa kar ghar se nahi nikalte aur na koi Maa'n Asal baat Beto'n se chhupa sakti hai, Waqia ye hai k Qaba'il ke Awaara logo ne Madina Munavvara per hamla kiya, ... Madina Harame Muhatram hai, un logo ne waha'n fitna barpa kiya aur Fitna Parwazo ko panaah di, is buniyad per wo Allah ki laanat ke mustahiq thehre, In baato ke alawa un logo ne Khalifa Som Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed kiya, Masoom khoon ko halaal jaan kar bahaya, Jis maal ka unhe lena Jaa'iz nahi tha Use loota, Haram Muhatram ki be izzati ki, Muqaddas Mahine ki toheen ki ( yani Zihhijja me Hazrat Usman ko Shaheed kiya ) logo ki aabru rezi ki,... Musalamano ko begunaah maara peeta, Unke gharo me zabardasti dakhil hue, Mai'n Musalamano ko le kar isliye nikli hu'n k logo ko batau'n ...in halaat me Musalamano ko kya kya nuqsaan pahu'nch rahe Hai'n, Hum islaah ki dawat le kar nikle hai'n aur iska Allah ke Rasool ne har chhote bade ko hukm diya hai, Ye hai hamara maqsad _,"*

[7/11, 6:05 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Un dono Hazraat ne Hazrat Talha aur Hazrat Zabair Raziyallahu Anhu se bhi mulaqaat ki, Fir Waapas Basra ke waali Usman bin Haneef ke paas aaye aur unhe bataya k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha kya chahti hai'n, Usman bin Haneef ne in baato ka koi asar nahi liya aur Apni fauj le kar maidaan me aa gaye _,*

*★_ Is moqe per Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne ek badi pur asar taqreer ki, Aapki taqreer sun kar Usman bin Haneef ki fauj se bahut se Aadmi nikal kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki taraf aa gaye aur pukaar uthe :- Allah ki qasam ! Aap theek kehti Hai'n_,"*


*★_ Doosre Roz dono jama'ate Aamne Saamne aa gayi'n, Basra Walo ka Salaar Hakeem naami shakhs tha, Usne Jung shuru karne ki koshish ki , Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke saathi Neze taane khamosh khade they, Aap Hakeem aur uski Fauj ko barabar rok rahi thi'n k Jung shuru na karo, Hamara maqsad Jung nahi hai, Hum islaah ke liye aaye hai'n, Pehle hamari baat sun lo, Aapki in baato ke bavjood Hakeem baaz na aaya, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saathi ab bhi haath roke khade they, Udhar Hakeem ne apne Saathiyo ko lalkara, Ye halaat dekh kar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Apne Saathiyo ko pichhe hatne ka hukm farmaya aur doosre maidaan me la khada kiya, Isse saaf zaahir hai k Aapka iraada hargiz hargiz Jung ka nahi tha, Aap to Musalamano me Sulah karane ki niyat se nikli thi'n_,*


*★_ Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Madni Munavvara se Apne Saath so Aadmi le kar chale they, Aap Koofa pahu'nche to 7 hazaar Aadmi unke saath ho liye, Basra Pahunchte Pahunchte unki tadaad 20 hazaar ho gayi, Idhar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke saath 30 Hazaar Aadmi they, Dono jama'ate maidaan me Aamne Saamne Khaimazan ho gayi'n, Har Musalman ka Dil dar raha tha k Kal Tak inki talware dushmano ke sar udaati rahi thi'n kahi'n ab khud Apno ke seeno ko na chhalni karne lage _,"*


*★_ Ab dono taraf se Sulah ki koshishe shuru hui, Sabaa'i giroh ke log dono taraf ki faujo me shamil ho chuke they aur unki koshish ye thi k kisi tarah bhi Sulah na ho taki Musalaman aapas me lad kar kamzor ho Jaye'n aur unki Sazisho ko falne foolne ka khoob moqa mile, Jabki Nek Logo'n ki poori poori koshish ye thi k kisi tarah dono Giroh me Sulah ho jaye,*


*★_ Aakhir Sulah ki baat cheet shuru hui, Dono jama'ate hi yahi chahti thi k Jung na hi, Mamlaat baat cheet ke zariye tay ho Jaye'n, Sulah ki baat abhi jaari thi, is baat ki zyada ummed ho chali thi k Sulah ho jayegi, Baat cheet hote hote Hai'n Raat ho gayi, Chuna'nche dono Fareeq apne apne padaav me chale gaye_,*


*★_ Ab kya hua, Sabaaiyo ne halaat ka rukh dekh liya, Andaza laga liya k unme Sulah ke imkanaat roshan ho chuke hai'n, Ye baat unki ummeedo ke khilaf thi, Wo to Musalamano me Jung ki aag bhadkane pet tule bethe they, Unhone hi Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed kiya tha, Agar Musalamano me Sulah ho jati hai to fir Shaamat unhi ki aati thi, Lihaza Unhone faisla kiya k esa waqt aane se pehle Musalamano hi ko kyu na aapas me lada diya jaye, Ye Fasaadi log pehle hi Apne program ke mutabiq dono lashkaro me shareeq ho chuke they aur moqe ki Taaq me they, Ab jo Baat cheet roki gayi aur dono lashkar apne Apne padaav me chale gaye to unke Seeno per Saa'np lotne lage, Bas ese Sabaa'i Logo'n ke ek giroh ne Achanak Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki fauj per hamla kar diya, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur unke Saathi ye samjhe k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj ne hamla kar diya hai, isi tarah kuchh Sabaaiyo ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj per hamla kar diya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke saathi ye samjhe k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki fauj ne hamla kar diya hai, Bas is tarah dono Fareeqo me Jung shuru ho gayi _,"*

[7/12, 3:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Apne oun't per Sawaar hui taki Fauj ko rok sake aur khoon kharaba na Ho, Udhar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi Apni fauj ko rokne ki koshish ki lekin Jung to chhid chuki thi, Ruk na saki, Khud Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saathiyo ne Aapko oun't per Sawaar dekh kar khayal kiya k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Jung ke liye taiyaar hai'n, Hala'nki Aap to un sabko rokne ke liye oun't per Sawaar hui thi, Aapki fauj me Muhammad bin Talha Sawaaro per afsar they, Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu paidal fauj ke afsar they, Majmui tor per poori fauj ki qayadat Hazrat Talha aur Hazrat Zubair Raziyallahu Anhum kar rahe they,*.


*★_ Jung ke dauran Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apna ghoda aage badaya aur Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ko bula kar kaha :- Ey Zubair ! Tumhe wo din yaad hai jab Aap ﷺ ne tumse puchha tha, Kya tum Ali ko dost rakhte ho, To tumne arz kiya tha, Ey Allah ke Rasool ! Haa'n Mai'n Ali ko dost rakhta hu'n, Yaad karo us waqt tumse Huzoor ﷺ ne farmaya tha, Ek Din tum isse na haq ladoge _," ( Mustadrak Haakim )*


*★_ Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ne foran kaha :- Haa'n ! Mujhe yaad aa gaya _," Ye keh kar Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu Ladayi se alag ho gaye, Unhone Apne Bete Abdullah se farmaya :- Ey Pyare Bete ! Ali ne mujhe esi baat yaad dila di k Jung ka tamaam Josh khatm ho gaya hai, Beshak hum haq per nahi hai'n, Lihaza tum bhi Jung se Baaz aa jao aur mere saath chalo _,"*

*"_ Is per Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne kaha :- Mai'n to maidane Jung se nahi hatunga _,"*.

*"_ is per wo Akele hi maidane Jung se nikal aaye aur Basra ki taraf chal pade, Ek Sabaa'i unke ta'aqub me lag gaya aur jab wo ek jagah ruk kar namaz ada karne lage to unhe Shaheed kar diya_,"*


 *★_ Hazrat Zubair Raziyallahu Anhu ke jane ke baad Hazrat Talha Raziyallahu Anhu ka iraada bhi badal gaya, Wo bhi maidane Jung se nikal aaye, Is haalat me ek teer unke Paa'nv me aa kar laga, Zakhmi haalat me ye waha'n se nikal aaye, is zakhm se Aapne Shahadat payi _,"*

[7/14, 7:02 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Maidane Jung me Abdullah bin Saba ke Saathiyo ne kai baar Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha per hamla karne ki koshish ki, Lekin Aapke ird gird jo jaa'nisaar saathi they, Wo unhe moo'nh tod jawab dete rahe, Sabaa'i log dar Asal Aapko giraftaar karna chahte they, Lekin kamyaab na ho sake, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke saathi Shaheed to ho rahe they lekin unhone Aapki Hifazat se ek qadam bhi pichhe na hataya, Unki bahaduri ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko bhi hairat me daal diya, Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bahut pareshan bhi they, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Saathiyo ki bahaduri ki vajah se Jung tool pakadti ja rahi thi aur is tarah dono taraf se Musalamano ka nuqsaan ho raha tha, Goya Sabaa'i giroho ki Saazish Kamyaab ho rahi thi,*


*★_ Ese me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne socha k agar Haalat yahi rahi to na jane nuqsaan Kaha'n tak pahunch jaye, Kyunki is waqt haalat ye thi k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka ek saathi girta to doosra unke jagah le leta, Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne oun't ki nakel pakad rakhi thi, Wo zakhmi hue to foran ek aur ne pakad li, is tarah ek ke baad digar 70 Aadmiyo'n ne Apne Aapko Qurban kar diya, Ye haalat dekh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne socha, Jab tak Oun't ko nahi bitha diya jata us waqt tak Khoo'nrezi nahi ruk sakegi, isliye Aapke ishare per ek Shakhs ne pichhe se ja kar oun't per waar kiya, Oun't zakhmi ho kar beth gaya, Jo'nhi Oun't betha, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki fauj himmat haar gayi, Jung ka faisla Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haq me hi gaya,*


*★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko izzat aur Ahatraam ke saath madina Munavvara rawana kiya, Aapke dono Sahabzaade unhe rukhsat karne ek manzil tak saath aaye, Rukhsati ke waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- Mere Bachcho ! Hamari ye aapas ki kashmkash sirf aapas ki galat fehmi ka natija thi, varna mujhme aur Ali me pehle koi jhagda nahi tha_,"*

*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi is baat ki Taa'ied ki aur farmaya :- Ye'n Aan Hazrat ﷺ ki Harame Muhatram aur Hamari Maa'n hai'n, Unki Tazeen aur Toqeer zaruri hai _,"*


*★_ Is tarah Rajjab ki pehli Tareekh 36 Hijri ko Sayyada Madina Munavvara ki taraf rawana hui'n, Chu'nki Aap is Jung me oun't per Sawaar thi'n, isliye mo'rkho ne is Jung ko Junge Jamal ( oun't) ka naam diya hai _,"*


*★_ Madina pahunch kar Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Hujre me aa gayi'n, iske baad Logo'n ko Deen ki baate sikhati rahi'n, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khilafat taqriban 6 saal rahi, Uske baad Hasan Raziyallahu Anha 6 maah tak khalifa rahe, Fir unhone Khilafat Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu ke supurd kae di, Wo Taqriban 20 saal tak islami mumlikat ke Tanha Khalifa rahe, Unki khilafat ki muddat ke akhtaam se 2 saal pehle Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne inteqal farmaya, Us waqt Aapki Umr 70 Saal se kuchh zyada thi, Aapne 17 Ramzanul Mubarak 85 Hijri me Chand Roz bimaar reh kar is daare faani se inteqal farmaya,*


[7/14, 9:11 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ki wafaat ki khabar sun kar Musalaman Apne gharo se nikal aaye, Aapke Janaze me is qadar hujoom tha k Raat ke waqt isse pehle kabhi itna Hujoon nahi dekha gaya, Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne janaza dekh kar farmaya :- Ayesha Siddiqa ke liye Jannat waajib hai, Kyu'nki Ye Huzoor Alaihissallam ki sabse Pyari Bivi thi'n, Allah un per Rehmate naazil farmaye _,"*


*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu un dino Madina Tayyaba ke qaaim muqaam governor they, Kyunki Marwaan un dino Umre ke liye Makka Mukarrama gaya hua tha, isliye Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Namaze Janaza padhayi, Qasim bin Muhammad bin Abi Bakar, Abdullah bin Abdurrahman bin Abi Bakar, Abdullah bin Ateeq aur Abdullah bin Zuber yani Bhatijo aur Bhanjo ne Qabr me utara, Aapko Aapki Wasiyat ke mutabiq Jannatul Baqi me dafan kiya gaya,*


*★_ Madina Munavvara me us Roz Qayamat barpa thi, Har Aan'kh ro rahi thi, Logo'n ne Madina Munavvara ke kisi Shakhs se puchha :- Madina ke Logo'n ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki wafaat ka gam kitna mehsoos kiya ? Usne jawab diya :- Wo Musalmano ki Maa'n thi'n, Maa'n ke marne per Jitna gam hota hai, Utna hi Madina ke Musalmano ko gam hua tha _,"*


*★_ Aapke Yaha'n koi aulaad nahi hui, Lekin Aapko is baat ka qat'an koi malaal nahi tha, Aap is qadar qana'at pasand thi'n k Sirf ek joda Apne paas rakhti thi'n, Usko dho kar pehanti thi'n, Aapke Dil me Allah ka khoof koot koot kar bhara tha, Bahut Jald rone lag jati thi'n, Ek baar Dajjal ka khayal kar ke rone lagi'n _,*

[7/15, 9:27 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke bare me Aap ﷺ se kuchh kaha, Aapne irshad farmaya :- "_ Ey Umme Salma ! Mujhe Ayesha ke bare me Aziyat na do, Allah ki qasam ! tumme se kisi ke bistar me mujh per wahi naazil nahi hoti Sivaye Ayesha ke _," *( Musnad Ahmad - 6/ 293 )*


*★_ Ek Roz Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Aapke Hujre Mubarak ke darwaze per Pahunche aur abhi andar dakhil hone ki ijazat talab karne wale they k Aapne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko ounchi Awaaz me baat karte suni, Pas jab Aap andar aaye to Hazrat Ayesha Siddiqa ko pakad kar bole :- Ey Umme Roman ki beti ! Tu Sarkare do Aalam ﷺ ke saamne ounchi Awaaz se baat karti hai _," Ye keh kar Aapne unhe maarne ke liye haath uthaya hi tha k Aan Hazrat ﷺ unke aur Aapke darmiyan me aa gaye, Jab Sayyad Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu waapas chale gaye, To Aapne farmaya :- Dekho maine tumhare aur tumhare baap ke darmiyan me aa kar tumhe kese bachaya _," ( Nasa'i, Abu Daoud, Musnad Ahmad )*


*★_ Ek Safar me Aap ﷺ ne Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha se farmaya :- Aao Ayesha ! Daud lagaye'n _,"*

*"_ Sayyada Aapke saath daud padi aur Aapse aage nikal gayi, Kuchh muddat baad ek aur moqe per Aapne unhe daudne ki dawat di, Sayyada Aapke saath daud padi, Lekin is martaba Aap aage nikal gaye, is per Aap ﷺ ne farmaya :- Ayesha ye us Roz ki daud ka jawab hai _," ( Abu Daoud Hadees Number - 2578)*


*★_ Ek Safar me Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ka oun't bidak gaya aur wo unhe le kar ek taraf ko bhaag nikla, Aap ﷺ is qadar barqarar hue k Aapke moo'nh se nikal gaya :- Arusah _," yani Haay meri Dulhan _,"*


*★_ Ek martaba kuchh Habshi log khail tamasha dikha rahe they, Bahut se Mard aur Bachche unka khail dekh rahe they, Aapne Sayyada se farmaya :- Ey Ayesha ! Kya tum bhi ye khail dekhna chahti ho ? Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ji haa'n ! Chuna'nche Aapne unhe Apne kandhe ki oat se wo khail dikhaya, Us waqt Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Apna chehra Aapke Kandhe per tika diya tha, Kuchh der baad Aap ﷺ ne puchha :- Ayesha ! Tumne dekh liya _," is per Sayyada boli'n :- Ey Allah ke Rasool ! Jaldi na kare'n, Mai'n abhi aur dekhna chahti hu'n _,"*

*"_ Jab tak k Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Sair nahi ho gayi'n, us waqt tak Aap unhe khail dikhate rahe _,"*


*★_ Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki ek Khususiyat ye hai k Aapne Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ko dekha aur unhone Sayyada ko Salam kiya _,"*

*"_ Aur sabse badi Khususiyat ye hai k Allah Ta'ala ne Aapki begunahi ke saboot me Qurane Kareem ki aayat naazil farmayi, Allah Ta'ala ki un per Karodo rehmate naazil ho'n _,"*


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 6,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

      *⚂ HAZRAT SAUD RAZ. ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                    

   *★_ Sayyada Sauda Raziyallahu Anha _,*


*★_ Aapka naam Sauda Raziyallahu Anha tha, Aap Qabila Aamir bin Moosa se thi'n, Ye Quresh ka ek Mash'hoor Qabila tha, Waalid ka naam Zam'a bin Qais tha, Aapki Walida ka naam Samos binte Qais tha, Aan Hazrat ﷺ se pehle Aapka nikah Sakran bin Amru Raziyallahu Anhu se hua, Sakran Aapke baap ke Chachazaad bhai they,*


*★_ Aap islam ke ibtedayi dino me Musalaman ho gayi'n thi'n, Aapke Shohar ne bhi islam qubool kar liya tha, Habsha ki taraf pehli hijrat ke waqt bhi dono Makka hi me rahe aur Kuffaar ki Sakhtiya'n bardasht karte rahe, Jab Mushrikeen ka zulm inteha ko pahunch gaya to Muhajireen ki ek badi tadaad Habsha ki taraf hijrat ke liye taiyaar ho gayi, Unke Saath Sayyada Sauda Raziyallahu Anha aur unke Khawind Sakran Raziyallahu Anhu ne bhi Hijrat ki, Ka'i baras baad jab ye Waapas lote to Sakran Raziyallahu Anhu ka Makka Mukarrama me inteqal ho gaya, Unke inteqal ke baad Aap ﷺ ne Sayyada Sauda Raziyallahu Anha se Nikah kar liya,*


*★_ Ek rivayat ke mutabiq Sayyada Khadija Raziyallahu Anha ke inteqal ke baad Aap ﷺ bahut Gamgeen rehte they, Kyunki Sayyada Khadija Raziyallahu Anha Aapki bahut Gam Khwar thi'n, Aapko is qadar gamzada dekh kar Hazrat Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu ki Zoja Hazrat Khaula bint Hakeem Raziyallahu Anha ne Aapse arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Aapko ek hamdard saathi ki zarurat hai ? Jawab me Aapne farmaya :- Haa'n ! Aapki marzi maloom kar ke Khaula bint Hakeem Raziyallahu Anha Sayyada Sauda Raziyallahu Anha ke paas gayi'n, Unhone waha'n ja kar unse kaha :- Allah Ta'ala ne Aap per Khayro Barkat ke darwaze khol diye hai'n _,"*

*"_ Unhone puchha :- Wo kese ? Khaula Raziyallahu Anha boli'n :- Mujhe Aap ﷺ ne Aapki taraf bheja hai taki Mai'n Aapki taraf se Shadi ka paigaam du'n _,"*

*"_ Ye Sunte hi Hazrat Sauda Raziyallahu Anha ne kaha :- mujhe manzoor hai lekin Aap mere Waalid se poochh le'n _,"*


*★_ Ab Khaula Raziyallahu Anha unke Waalid ke paas gayi'n, Wo bahut budhe ho chuke they, Unhone salam kiya to wo bole :- Kon hai ? Unhone apna naam bataya to wo bole :- Khush Aamdeed ! Kaho kese aayi ho ? Hazrat Khaula Raziyallahu Anha ne kaha :- Muhammad ﷺ ne Aapki beti ke liye Shadi ka paigaam diya hai _,"*.

*"_ Ye Sun kar Budhe Baap ne kaha :- Haa'n ! Muhammad bahut Kareem hai'n, tumhari Saheli kya kehti hai'n _," Khula boli'n :- Unhe Ye Rishta Manzoor hai _," Baap ne kaha :- Tab fir mujhe bhi manzoor hai _,"*

*"_ Iske baad Aan Hazrat ﷺ waha'n Tashreef le gaye, Sayyada Sauda Raziyallahu Anha ke Waalid ne nikah padhaya, 400 Dirham Mehar muqarrar hua_,"*

[7/18, 5:12 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 10 Hijri me Sarkare do Aalam ﷺ ne Hajj farmaya, Is moqe per Sayyada Sauda Raziyallahu Anha Aapke Saath thi'n, Aap bhaari Jism ki thi'n, Tez nahi chal sakti thi'n isliye Aapse ijazat li k Muzdalfa pehle rawana hi Jaye'n, Aap ﷺ ne unhe ijazat de di, is tarah Aap Raziyallahu Anha Logo'n se pehle Muzdalfa ki taraf rawana ho gayi'n,*


*★_ Ek Roz Azwaaj Mutahraat Aap ﷺ ki khidmat me bethti thi'n, Aap ﷺ se puchha gaya :- Allah ke Rasool ! Humme se pehle kon faut hoga ? Aapne jawab me farmaya :- Jiske haath sabse lambe ho'nge _,"*

*"_ Unhone is Alfaz ka zahiri matlab samjha aur Aapas me baazu maapne lagi'n, To Sabse bada aur Lamba Haath Hazrat Sauda Raziyallahu Anha ka tha, Lekin Jab Sabse pehle Hazrat Zenab binte Khuzema Raziyallahu Anha ka Inteqal hua, Us waqt maloom hua k haath ki lambayi se Aapka ye matlab tha k Jo sabse zyada sakhi hai, uska inteqal sabse pahle hoga _,"*


*★_ Sayyada Sauda Raziyallahu Anha ne 22 Hijri me Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Daure Khilafat me wafaat payi, Sayyada Sauda Raziyallahu Anha ka Hazrat Sakran Raziyallahu Anhu se ek beta tha, Unka naam Hazrat Abdurrahman Raziyallahu Anhu tha, Unhone Junge Jalula me shahadat payi, Nabi Kareem ﷺ se Aapke Yaha'n koi aulaad nahi hui_,"*


*★_ Ahadees ki Kitaabo me Aapse Sirf 5 Ahadees rivayat ki gayi hai'n, Aap buland Akhlaaq thi'n, ita'at aur farmabardaari unme koot koot kar bhari thi, Aap ﷺ ne Apni Azwaaj Mutahraat ko Wasiyat farmayi thi k mere baad ghar me bethna, Sayyada Sauda Raziyallahu Anha ne is Farman per is qadar Sakhti se Amal kiya k fir kabhi Hajj ke liye bhi nahi gayi'n, Farmaya karti thi'n :- "_ Mai'n Hajj aur Umra dono kar chuki hu'n, Ab Rasulallah ﷺ ke hukm ke mutabiq ghar me bethungi _,"*

[7/19, 11:55 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap bahut Sakhi thi'n, Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke baad Aap baqi Azwaaj se zyada Sakhi thi'n, Maal aur Daulat se unhe bilkul muhabbat nahi thi, Jo aata Allah ke Raaste me Kharch kar deti thi'n,*


*★_ Ek martaba Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Aapki khidmat me Dirhamo se bhari ek theli bheji, Aapne theli lane wale se puchha :- isme kya hai ? Usne bataya k Dirham hai'n, Aapne wo tamaam dirham usi waqt taqseem kar diye _,"*


*★_ Aapki Tabiyat me Mazah tha, Kabhi Kabhi Aapki baato se Huzoor ﷺ muskura padte, Ek Roz kehne lagi'n :- Kal Raat Mai'ne Aapke saath Namaz padhi thi, Aapne is qadar der tak Ruku kiya k mujhe nakseer footne ka Shubha ho gaya, Mai'n der tak Naak Pakde rahi _," ye sun kar Huzoor ﷺ muskurane lage,*


*★_ Aap zara Umar Rasheeda ho gayi'n to Aapko khof mehsoos hua, Kahi'n Aap ﷺ unhe talaq na de de'n, is khof ki bina per Aapne arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Aap mujhe talaaq na de'n, Mai'n Apni baari Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko deti hu'n _," Chuna'nche Aapne Apni bari Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko de di, Aap ﷺ ne unki ye baat Manzoor kar li ,*


*★_ Aap bahut ibaadat guzaar thi'n, Aapke halaat Kitaabo me zyada nahi milte, Allah ki Aap per Karodo rehmate Ho'n _,"*


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

      *⚂ HAZRAT HAFSA RAZ. ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                  *❀__Ummul Momineen Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha Nabuwat ke 5 Saal pehle paida hui'n, Aap Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ki beti hai'n, Aapki Walida Ka naam Zainab binte Maz'oun tha, Ye Mash'hoor Sahabi Hazrat Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu ki behan thi'n, Khud bhi Sahabiya thi'n, Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ki badi behan hai'n,*


*★_ Aap jawan hui'n to Aapka pehla Nikah Khunes bin Huzafa Raziyallahu Anhu se hua, Dono ne Achchhe Miya'n Bivi ki tarah Zindgi basar ki, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu sabse pahle islam lane wali me shamil hai'n, Is tarah Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha bhi Maa'n Baap ke saath Musalaman ho gayi'n thi'n, Aapke Shohar Khunes bin Huzafa Raziyallahu Anhu bhi Musalaman they, Matlab ye hai k Jab Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha ne hosh sambhala, Us waqt islam ka noor failne laga tha,*


*★_ Fir Allah Ta'ala ne Aan Hazrat ﷺ ko Hijrat ka hukm farmaya, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Hukm milne per Hijrat shuru ki, Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha aur Aapke Shohar ne bhi Madina Munavvara ki taraf Hijrat farmayi,*


*★_ Madina Munavvara me inki Zindgi khush gawaar guzar rahi thi k 2 Hijri me Gazwa Badar pesh aaya, Hazrat Khunes Raziyallahu Anhu ne bhi Gazwa Badar me shirkat ki, Maidane Jung me Bahaduri ke Johar dikhaye, is Jung me unhe gehre zakhm aaye, inhi Zakhmo se Unhone Shahadat payi,*


*★_ Baaz Rivayaat me hai k unhone Gazwa uhad me bhi Shirkat ki thi aur Gazwa Uhad me jo Zakhm aaye they, Shahadat unse hui thi,*


 *★_ Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha Beva ho gayi'n to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu unke liye Fikrmand ho gaye, Wo chahte they beti ka nikah kar de'n, Unhi dino Aan Hazrat ﷺ ki beti Sayyada Ruqayya Raziyallahu Anha ka Inteqal ho gaya, Ye'n Sayyadna Usman Raziyallahu Anhu ki Zoja thi'n, Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ne Sayyadna Usman Raziyallahu Anhu ko ek din bahut Gamgeen dekh kar puchha :- Bhai Usman ! Kyu Gamgeen ho ? Unhone farmaya :- Mere Gamgeen hone ki vajah ye hai k mere aur Aan Hazrat ﷺ ke darmiyan Susrali Rishta tha, Wo khatm ho gaya_,"*


*★_ Is per Hazrat Umar Raziyallahu Anhu bole :- Agar Aap pasand Kare'n to Mai'n Apni Beti Hafsa ki Shadi Aapse karne ke liye taiyaar hu'n _,"*

*"_ unhone jawab me kaha :- Mai'n is maamle per gor karunga _," Ye sun kar Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Achchhi baat hai ! Aap gor kar ke mujhe bata de'n _,"*

*"_ Chand Roz baad Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki mulaqaat Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se hui to maloom hua k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu is rishte per Taiyar nahi, Ab Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se mile, Aapne unse bhi yahi farmaya :- Ey Abu Bakar ! Agar Aap pasand Kare'n to Mai'n Apni Beti ka rishta Aapse karne ke liye taiyaar hu'n _,"*


*★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu unki baat sun kar khamosh ho gaye aur unhone koi jawab na diya, is per unhe ranj mehsoos hua, iske baad khud Aan Hazrat ﷺ ne khud Sayyada Hafsa Raziyallahu Anha se Nikah ki khwahish zaahir ki aur is tarah unka nikah Aan Hazrat ﷺ se ho gaya _,"*


*★_ Ek Roz Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki mulaqat Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se hui to Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Ey Umar ! Chand din pehle tumne mujhe Apni Beti Hafsa se nikah ki peshkash ki thi aur Mai'n tumhari baat sun kar khamosh raha tha aur tumhe meri khamoshi nagawaar guzri thi, Ab Mai'n Aapko batata hu'n k Mai'n Kyu khamosh raha tha, Chand Din pehle Aan Hazrat ﷺ ne Hafsa Raziyallahu Anha ka zikr kiya tha aur Mai'n Aapke Raaz ko zaahir nahi karna chahta tha, Agar Aan Hazrat ﷺ Hafsa Raziyallahu Anha se Nikah na karte to fir Mai'n iske liye taiyaar tha_," ( Bukhari )*


*★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jo inkaar kiya tha, Wo is vajah se tha k un dino unki khwahish Aan Hazrat ﷺ ki doosri beti Sayyada Umme Kulsum Raziyallahu Anha se Nikah karne ki thi, Varna wo inkaar na karte, is tarah Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha ka nikah Aan Hazrat ﷺ se ho gaya, Ye Nikah 2 Hijri me hua, Ek Rivayat 3 Hijri ki bhi hai _,*


 *★_ Nikah ke baad Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha Aan Hazrat ﷺ ke ghar me rehne lagi'n, Aapki Azdwaji Zindgi bahut khush gawaar thi, Aap Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki beti thi'n, isliye mizaaj me qadre tezi thi, Aan Hazrat ﷺ ne ek baar unhe raja'i talaaq de di, lekin doosre hi din Jibrai'l Alaihissallam aa gaye, Unhone Allah ka ye paigaam Aapko pahunchaya :-*

*"_ Ey Allah ke Rasool ! Umar per Shafqat farmate hue Hafsa ko Apne Nikah hi me rakhe'n, Ye'n bahut zyada Roze rakhne wali hai'n, Raato ko bahut Namaz padhne wali hai'n aur Ye'n Jannat me bhi Aapki Bivi Ho'ngi _,"*


*★_ Chuna'nche Allah ke hukm ke mutabiq Aapne talaq waapas le li, Matlab ye k Allah Ta'ala ke nazdeek unka itna martaba tha,*


*★_ Aapne Sha'ban 45 Hijri me wafaat payi, Baaz Rivayaat me 41 Hijri me bhi aayi hai, Wafaat ke waqt Aapki Umr 63 Saal ke qareeb thi, Wo zamana Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu ki khilafat ka tha, Governor Madina Marwan bin Hakam ne Namaze Janaza padhayi, Aapke Bhai Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu aur unke Sahabzaado Aasim Reh. Saalim Reh. aur Abdullah Reh. aur Hamza Reh. Ne Aapko qabr me utara,*


*★_Wafaat ke waqt Aapne Apne Bhai Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ko bula kar Wasiyat farmayi, Us Wasiyat me Aapne Apni Zameen Sadqa kar di, Ye Zameen Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ne unki nigrani me di thi,*


*★_ Aap nihayat Aalim, Faazil aur ilm v Kamaal ki Maalik thi'n, Aapne Taqriban 60 Ahadees Rivayat ki hai'n, Aapke Yaha'n koi aulaad nahi hui, Aap bahut Rozedaar aur Raato ko jaagne wali thi'n, Yaha'n tak k inteqal ke waqt bhi Roze se thi'n, Allah ki un per Karodo rehmate Ho'n _,*      


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙              

*❀_ Sayyada Zainab binte Khuzema Raziyallahu Anha _,*


*★_ Aapka naam Zainab tha, Walid ka naam Khuzema bin Haaris tha, Aap bahut Raham Dil thi'n, Zamana Jaahiliyat me bhi Aapko Ummul Masakeen kaha jata tha, Yani Miskeeno ki Maa'n,*


*★_ Rasulullah ﷺ ke Nikah me aane se pehle Sayyadna Abdullah bin Jahash Raziyallahu Anhu ke nikah me thi'n, Sayyadna Abdullah bin Jahash 3 Hijri me Gazwa Uhad me Shaheed ho gaye, Uske baad Nabi Kareem ﷺ ne Aapse nikah farmaya, Aap bahut Raham Dil aur Sakhi thi'n, Gareebo aur Miskeeno ko khule Dil se khana khilati thi'n, Islam lane se pehle bhi Aapka yahi mamool tha, Aapka Inteqal Nabi Kareem ﷺ ki zindgi hi me 30 saal ki Umar me hua,*


*★_ Aap ﷺ ke saath Aap sirf chand Maah hi guzaar saki'n, Aapki wafaat Rabiul Aakhir ke mahine ki Aakhri Tareekho me Hijrat se 3 saal 3 maah baad hui, Aan Hazrat ﷺ ne khud Namaze Janaza padhayi, Aap sabse kam muddat Nabi Kareem ﷺ ke saath rahi'n,*


*★_ Tareekh ki Kitaabo me Aapke Zyada Halaat nahi milte, Allah ki Aap per Karodo rehmate Ho'n _,"*         


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 122,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

  *⚂ HAZRAT UMME SALMA RAZ.⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                    *★_ Aapka naam Hind tha, Umme Salma Aapki kunniyat hai, Aapka Talluq Quresh ke khandan Banu Makhzoom se tha, Aapke Walid Abu Umayya Makka Mukarrama ke bahut bade Sakhi Aadmi they, Taajir they aur bahut Daulatmand they, Is lihaaz se Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne bahut khush haal gharane me Parwarish payi thi,*


*★_ Aapka pehla Nikah Abdullah bin Abdul Asad se hua, Wo Abu Salma ke naam se Mash'hoor they, Aap ﷺ ke Raza'i bhai bhi they, inki Walda ka naam Barah binte Abdul Muttalib tha, is lihaaz se wo rishte me Aapke Foofi zaad bhai bhi they, Abu Salma Raziyallahu Anhu se Aapke Yaha'n 4 bachche paida hue,*


*★_ Aap islam ki ibteda hi me Apne shohar ke saath islam le aayi thi'n, Goya dono miya Bivi sabse pahle islam lane walo me shamil hai'n, Dono ne Habsha ki dono Hijrate ki, balki in dono ne sabse pahle Habsha ki taraf hijrat ki thi, Kuchh arsa Habsha me guzaar kar dono Miya Bivi waapas Makka aa gaye, Waha'n se Nabi Kareem ﷺ ki ijazat se madina Munavvara ki taraf hijrat ki,*


*★_ Abu Salma Raziyallahu Anhu jab Habsha se Makka pahunche to Qureshe Makka ne Aap per zulm shuru kar diya, Unke zulm se tang aa kar Aapne Madina Munavvara ki taraf hijrat ki, Aap Madina pahunche to wo Muharram ki 10 tareekh thi, Amru bin Auf ke khandan ne unhe apna mehman banaya aur Umme Salma Raziyallahu Anha Apne Shohar ke saath Hijrat nahi kar saki thi'n, Unhone baad me Hijrat ki,*     


[7/25, 6:07 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abu Salma Raziyallahu Anhu apni Bivi Umme Salma Raziyallahu Anhu ko le kar Makka Muazzama se nikle, Taki Madina Munavvara ki taraf Hijrat kar sake'n, Lekin Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar wale unke raaste me aa gaye aur bole :- Tum akele madina Munavvara ja sakte ho, Hamari Beti ko saath nahi le ja sakte _,"*


*★_ Ye log Umme Salma Raziyallahu Anha ko zabardasti waapas le gaye, is tarah Abu Salma Raziyallahu Anhu ne akele Hijrat ki, Umme Salma Raziyallahu Anha ki goad me unka doodh peeta bachcha Salma tha, Abu Salma Raziyallahu Anhu ke ghar wale Apne Bachche ko Umme Salma Raziyallahu Anha se chheen kar le gaye, Ab ek taraf wo Shohar se juda kar di gayi'n, to doosri taraf Apne Bachche se mehroom kar di gayi'n, Un per to Goya Musibato ke pahaad toot pade, Ghar se bahar Sehra me nikal jaati aur roya karti'n, Ka'i din roti rahi'n, fir ek shakhs ko un per taras aaya, Usne logo ko jama kiya aur unse kaha :- Tum is gareeb per kyu zulm karte ho, iska bachcha ise de do aur ise Madina Apne Shohar ke paas jane do _,"*


*★_ Aakhir sab logo ne ye baat maan li, ab Ye'n Apne Bachche ko le kar oun't per Sawaar hui aur Madina ki taraf chal padi, Saath koi mard nahi tha, bilkul tanha thi'n, Tan'iym ke muqaam per pahunchi to Unhe Hazrat Usman bin Talha Raziyallahu Anhu mile, Ye us waqt tak Musalman nahi hue they, Khana Kaaba ke chaabi bardaar they, Inhone Umme Salma Raziyallahu Anha ko pehchan liya, Kyunki unke Khawind Abu Salma Raziyallahu Anhu ke saath inke dostana Talluqaat they, Inhone puchha :- Kaha'n Ka iraada hai ? Umme Salma boli'n :- Madina Munavvara ka, Unhone puchha :- Koi saath hai ? Unhone jawab diya :- Allah saath hai ya ye Bachcha _,"*


*★_ Is per Hazrat Usman bin Talha Raziyallahu Anhu ne kaha :- Ye nahi ho sakta, Tum tanha nahi ja Sakti, Ye keh kar oun't ki muhaar pakad li aur Madina Munavvara ki taraf rawana ho gaye, Umme Salma Raziyallahu Anha bayan karti hai'n k raaste me kahi'n Rafa Haajat vagera ke liye theharna padta to Usman oun't ko bitha kar door kisi darakht ki oat me chale jate, Tab Mai'n niche utarti, rawangi ka waqt hota to Ount per Kajawa rakh kar fir door chale jate aur mujhse kehte - Sawaar ho jao, Aap farmati hai'n :- Maine poori Zindgi me itna shareef insaan nahi dekha _," Mukhtasar ye k Mukhtalif manzilo per qayaam karte hum Madina pahunche, Jab Quba ki aabadi per nazar padi to bole :- Ab tum Apne Shohar ke paas chali jao, Wo yahi'n thehre hue hain _,"*


*★_ Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha udhar rawana ho gayi'n aur ye waapas Makka ki taraf rawana hue, Quba ke logo ne jab Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ko dekha to unse puchha :- Aap kon hai'n aur Kaha'n se aayi hai'n ? Is per Unhone bataya - Mai'n Umme Salma hu'n Abi Umayya ki beti _," Abi Umayya Chu'nki bahut Mash'hoor Aadmi they, bahut Daulat mand they, Bahut Sakhi they, isliye logo ko Yaqeen na aaya k itne bade baap ki beti yu'n Akele Safar kar ke Makka se Madina aayi hai'n, us zamane me Shurfa ki Khawateen is tarah bahar nahi nikla karti thi'n, Bade log Safar me kisi ko saath zaroor bheja karte they aur uska tamaam kharcha bhi ada karte they, Jabki Sayyada Umme Salma tanha Aayi thi'n, isliye log hairaan they, Kaafi din baad unhe Yaqeen aaya aur jab sabko maloom ho gaya k ye kis ki beti hai'n to log unhe qadar ki nigaah se dekhne lage _,"*

[7/26, 12:04 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab dono miya Bivi Apne Bachche ke saath khush v Khurram Zindgi basar karne lage, 2 Hijri me Gazwa Badar pesh aaya, Abu Salma Raziyallahu Anhu ne is Gazwe me bharpoor hissa liya, Fir 3 Hijri me Gazwa Uhad pesh aaya, is Gazwe me Abu Salma Raziyallahu Anhu ke bazu me ek teer laga, Usse Aap ek maah zere ilaaj rahe, Ek maah baad zakhm bhar gaya lekin uska zehar andar failta chala gaya,*


*"★_ Unhi dino unhe ek muhim per bheja gaya, Musalmano ke khilaf Kuchh log Qutan Pahaad ke aas paas jama ho rahe they, Aap ﷺ ne ye ittela pa kar Hazrat Abu Salma Raziyallahu Anhu ko dedh so Aadmi de kar rawana farmaya, Aapne unhe hukm diya :- Rawana ho jao ! Yaha'n tak k Banu Asad ki sar Zameen me pahunch kar unka Shiraaja bikher do, Isse pehle k wo waha'n jama ho kar ek taaqat ban jaye _,"*


*★_ Sayyadna Abu Salma Raziyallahu Anhu is muhim se kamyaab lote, Aapne na sirf dushman ko muntshir kar diya balki unke oun't aur bhed bakriya'n badi tadaad me unse chheen laye, is muhim ke silsile me Aap 39 Din Madina Tayyaba se bahar rahe, Jab Aap Waapas aaye to purana zakhm fir se hara ho gaya aur Aakhir ek maah bimaar reh kar Aap inteqal kar gaye, Jab Aap per Naza ki haalat taari thi to us waqt Aap ﷺ tashreef le aaye, idhar Aap ﷺ andar dakhil hue, udhar Abu Salma Raziyallahu Anhu ki rooh parwaz kar gayi, Aap ﷺ ne Apne daste mubarak se unki dono Aankhe band kar di aur farmaya :- insaan ki rooh jis waqt uthayi jati hai to uski dono Aankhe use dekhne ke liye khuli reh jati hai _,"*


*★_ Us waqt Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne ye Alfaaz kahe :- Haay ! Pardesh me kesi maut aayi _," Rehmate Aalam ﷺ ne farmaya :- Sabr karo, inki magfirat ki dua maango aur kaho- Ey Allah inse behtar ata kar _," iske baad Aap ﷺ Abu Salma Raziyallahu Anhu ki laash ke paas aaye, Aap ﷺ ne unki namaze Janaza padhayi _,*

[7/26, 5:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Abu Salma Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Umme Salma Raziyallahu Anha ko nikah ka paigaam diya, Aapne inkar kar diya, iske baad Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu Aap ﷺ ka paigaam le kar aaye, Aapne Qubool farmaya ,*


*★_ Umme Salma Raziyallahu Anha kaha karti thi :- Mai'n Socha karti thi k bhala Abu Salma se behtar kon Shohar ho sakta hai, jab Aap ﷺ ki taraf se nikah ka paigaam mila to us waqt maine jaan liya k Allah Ta'ala ne mujhe unse behtar Shohar ata farmaya hai _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ se umme Salma Raziyallahu Anha ka nikah Shawwal 4 Hijri ki Aakhri Tareekho me hua, Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha Sarkare do Aalam ﷺ ke araam ka bahut khayal rakhti thi'n, Aapke ek gulam Safina Raziyallahu Anhu they, Aapne unhe is shart per Azaad kar diya tha k jab tak Aan Hazrat ﷺ zinda hai'n Aapki khidmat karna tumhare liye laazim hai _,"*


*★_ Nikah ke baad se Aan Hazrat ﷺ ki wafaat tak Aap saath rahi'n, Safar me bhi Aap aksar saath hoti'n, 5 Hijri me parde ki aayat naazil hui, isse pehle Azwaaj Mutahraat baaz door ke Rishtedaro ke saamne aa jaya karti thi'n, Ab khaas khaas Rishtedaro ke alawa har ek se parde ka hukm diya gaya _,"*


*★_ is bare me ek rivayat ye hai k Hazrat Abdullah bin Umme Maktoom Raziyallahu Anhu ek Nabina Sahabi they, Nabina hone ki vajah se Azwaaj Mutahraat ke Hujre me aa jate they, is Aayat ke nujool ke baad jab wo aaye to us waqt Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha aur Hazrat Maimoona Raziyallahu Anha waha'n mojood thi'n, Aap ﷺ ne farmaya :- inse parda karo _," Unhone kaha :- Allah ke Rasool ! Ye to Nabina hai'n _," Aapne irshad farmaya :- Ye to Nabina hai'n lekin tum to Nabina nahi ho, tum to unhe dekh rahi ho _,"*

[7/29, 6:29 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 6 Hijri ko Aap ﷺ Umra ke liye rawana hue, Aap ﷺ ke saath taqriban 1400 Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum they, Aapne Hudebiya ke muqaam per padaav dala, Wahi'n Makka ke mushrik aa gaye, Yaha'n unse muahida hua, is maamle ko Suleh Hudebiya kaha gaya, is Mu'ahide ki shara'it zaahir me Musalamano ke liye bahut Sakht thi, is vajah musalman bahut Gamgeen they, Mu'ahide ki ru se ab sab logo ko Umra kiye bager waapas Lorna tha, isliye Aap ﷺ ne qurbani karne aur sar mundane ka hukm farmaya _,*


*★_ Musalaman is qadar gamzada they k kisi ne bhi esa na kiya, is per Aap ﷺ ko bahut ranj mehsoos hua aur Aap apne khaime me Tashreef laye, Waha'n umme Salma Raziyallahu Anha mojood thi'n, Aap ﷺ ne ye baat unse farmayi, is per Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne arz kiya :-*.

*"_ Musalmano ko ye Suleh bahut nagawaar guzri hai, isliye wo bahut ranjeeda hai'n aur yahi vajah hai k Unhone Aapke hukm ki tameel nahi ki, Aap kisi se kuchh na kahe'n aur bahar nikal kar qurbani kar ke sar mundwa le'n, Ye sab khud ba khud Aapki pervi karenge_,"*


*★_ Aap ﷺ ne unke mashware per Amal kiya, Jo'nhi Aapne qurbani ki, Sabne qurbani shuru kar di aur sar mundwa kar Ahraam utaar diye, us waqt hujoom ka ye aalam tha k ek doosre per toota padta tha, Ek doosre ki Hajamat banane ki khidmat sar anjaam de rahe they _, (Bukhari )*


*★_ Is Waqie se maloom hota hai k Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha bahut Behatreen mashwara dene wali thi'n, Saath hi ye andaza hota hai k logo ki fitrat ka andaza lagane me bhi unhe kamaal haasil tha ,*


*★_ Aap Gazwa Khaibar me bhi shareeq thi'n, Khaibar ke qile ke Sardaar Murhab ke Daa'nto per jab Talwar lagi to Aap Raziyallahu Anha ne uski Awaaz suni thi _,"*

[7/30, 5:31 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ke Aakhri Ayyam me Sayyada Salma Raziyallahu Anha barabar Aap se milne ke liye aati rahi'n, Ek Din Huzoor ﷺ ki Tabiyat zyada nasaaz ho gayi to Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha Sadme se cheekh padi'n, Aap ﷺ ne unse farmya :- Ye Musalamano ka Tareeqa nahi _,"*


*★_ Ek Roz marz me zyada Shiddat paida ho gayi, Azwaaj Mutahraat ne dava pilane ki koshish ki, Aap us waqt dava pina nahi chahte they, Lihaza pine se inkaar kar diya, Thodi der baad Aap per gashi ki haalat taari ho gayi, Umme Salma Raziyallahu Anha aur Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ne gashi ki haalat me dava Aapke moo'nh me daali _,*


*★_ Bimaari ke unhi dino me ek din Sayyada Salma aur Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anhuma ne Habsha ke girjo me Tasaveer ka zikr kiya k Umme Habiba Raziyallahu Anha Habsha se ho kar aayi thi'n, Aap ﷺ ne ye Zikr sun kar farmaya :-*

*"_ Allah Yahood aur Nasara per laanat kare, Un logo me jab koi mar jata to wo uski qabr ko ibaadat gaah bana liya karte they aur uska But bana kar usme khada kar dete they, Qayamat ke Din ye log Allah Ta'ala ke nazdeek badtareen Makhlooq ho'nge _," ( Bukhari )*


*★_ Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ka inteqal 59 Hijri me Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu ke daur me hua, Ek Rivayat ke mutabiq 60 Hijri me Yazeed ke zamane me hua, Wafaat ke waqt Sayyada ki Umr 84 saal thi, Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Namaze Janaza padhayi, Aapko Jannatul Baqi me dafan kiya gaya_,"*

*"_ Aapke Yaha'n Pehle Shohar se jo Aulaad hui'n, Unke naam Salma, Umar, Durah aur Zainab hai'n, Salma sabse bade they, In sabki Parwarish Aan Hazrat ﷺ ne farmayi _,"*

[7/31, 11:52 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap Raziyallahu Anha bahut Aalima Faazila thi'n, Aapse bahut si Hadeese rivayat hai'n, Sahaba Kiraam unse Masa'il puchha karte they, Bahut se Tan'iyn ne bhi Aapse ilm Haasil kiya, Aap Qur'an bahut Achha padhti thi'n aur Aap Nabi Kareem ﷺ ke lehje me padha karti thi'n, Ek martaba kisi ne puchha :- Huzoor ﷺ kis tarah qiraat kiya karte they? Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne jawab diya :- "_ Ek Ek Aayat alag alag kar ke padhte they _," fir khud isi tarah padh kar sunaya _,"*


*★_ Hadees me bhi Aapka khaas muqaam tha, Aapse 387 Ahadees rivayat ki gayi hai'n, Aapko Ahadees sunne ka bahut shoq tha, Ek Roz baal gundhwa rahi thi'n k Aan Hazrat ﷺ khutba dene ke liye mimbar per Tashreef le aaye, Aapki zuban mubarak se abhi sirf itna nikla tha :- Ey Logo'n ! Us waqt Aap Raziyallahu Anha ne Baal goondhne wali se farmaya :- Baal baandh do _," Usne kaha :- itni kya jaldi hai ? Aapne farmaya :- Kya hum Logo'n me shamil nahi _,"*

*"_ iske baad khud baal baandh kar khadi ho gayi'n aur khade ho kar poora khutba suna _,"*


*★_Aap Raziyallahu Anha har waqt Ajro Sawab ki talash me rehti thi'n, Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ se puchha :- Allah ke Rasool ! Abu Salma se mere jo bachche hai'n, Mai'n un per kharch karti hu'n aur unki Achchhi tarah Parwarish karti hu'n, kya mujhe unki Parwarish per sawab milega ? Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n ! Jo kuchh tu un per kharch karegi tujhe us per Ajr milega _,"*


*★_ Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar per they, Aapne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko ek taang per aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko doosri taang per aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko darmiyan me bithaya hua tha, Ese me Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Ey ghar walo ! Tum per Allah ki khaas rehmat aur Barkat rehti hai'n, Beshak Allah Tareef ke laa'iq aur badi shan wala hai _,"*


*★_ Umme Salma Raziyallahu Anha ye sun kar ro padi, Aap ﷺ ne puchha :- Kya baat hai, Tum kyu ro padi ? Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Allah ke Rasool ! Aapne inke liye ye alfaz farmaye, mujhe aur meri beti ko chhod diya _," is per Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Tum aur Tumhari Beti dono Ahle Bayt me se ho _," ( Al Mu'ajam Al Kabeer - 24/ 281)*

[8/1, 4:49 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Umme Salma Raziyallahu Anha ke Bhatije ne do raka'at padhi, Sajde ki jagah gubaar alood thi, Wo Apni Peshani se gard jhaadne lage, Umme Salma Raziyallahu Anha ne unse farmya :: esa na karo, Ye fayl Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke Amal ke khilaf hai _,"*

*"_ Matlab ye tha k haatho ko harkat na do, Namaz me Sukoon Akhtyar karo _,*


*★_ Aap Raziyallahu Anha bahut Fayyaz thi'n, Ek Roz chand Haajat mand Aapke ghar aaye, Unme Aurte'n bhi thi, Unhone gidgida kar sawal kiya, Us waqt waha'n Sayyada Fatima Raziyallahu Anha bhi mojood thi'n, Aapne un fiqra ko daa'nta, is per Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne farmaya :: Hume iska hukm nahi _,"*

*"_ Fir khadima se farmaya :- inhe kuchh de kar rukhsat karo, ghar me kuchh na ho to ek do chhuware hi de kar rukhsat karo_,"*


*★_ Aapko Nabi Kareem ﷺ se bahut Muhabbat thi, Aapki wafaat ke baad Aapke Baal Tabarruk ke tor par rakh liye they, Logo'n ko unki ziyarat karati thi'n _," ( Musnad Ahmad - 6/301)*


*★_ Ek Roz Aap ﷺ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar Tashreef farma they, Ese me Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ek Sahabi Dahiya Kalbi Raziyallahu Anhu ki soorat me aaye, Wo Aapse baate karte rahe, Jab wo chale gaye to Aapne Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha se puchha :- Jaanti ho ! Ye kon they ? Umme Salma Raziyallahu Anha ne jawab diya :- Ye Dahiya they _,"*

*"_ Yani un Sahabi ka naam liya, lekin jab Aap ﷺ ne Logo'n se is waqie ka zikr kiya tab unhe pata chala, Wo Hazrat Jibrai'l they, matlab ye k Aapke ghar bhi Jibrai'l Ameen aaye they_,*


*★_ Nabi Kareem ﷺ ko Aapse bahut Muhabbat thi, Allah ki Aap per Karodo rehmate naazil ho'n _,"*    


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 123,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

*⚂HZRAT ZENAB BINT JAHASH RZ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                   ❀__ Aapka Naam Zainab tha, Walid ka naam Jahash bin Ra'ab aur Walida ka naam Umaima tha, Ye Umaima Abdul Muttalib ki Sahabzaadi thi'n, is Lihaaz se Hazrat Zainab Raziyallahu Anha Aan Hazrat ﷺ ki Sagi Foofi Zaad Behan thi, Aapka pehla Naam Barah tha, Aap ﷺ ne tabdeel kar ke Zainab rakha tha _,*


*★_ Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ka pehla Nikah Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu se hua tha, Jo Nabi Kareem ﷺ ke Azaad Karda Gulaam they, Unka Aapas me ittefaq na ho saka, isliye Hazrat Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ne unko Talaq de di thi, iddat poori hone ke baad Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ko nikah ka paigaam bheja, Us paigaam ke jawab me Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ne farmaya :- Mai'n is bare me us waqt tak kuchh nahi keh sakti jab tak k Mai'n Apne Parwardigar se mashwara na na kar lu'n _,"*


*★_ Is jumle ka matalab ye tha k Jab tak Mai'n istikhara na kar lu'n, kuchh nahi keh sakti, is tarah Allah Ta'ala ne Aapka Nikaah Huzoor Nabi Kareem ﷺ se Aasmaan per kar diya, Aasmaan per kar diye jane ki ittela Wahi ke zariye ki gayi aur Aayat naazil hui _,*


*★_ Iska Zikr Hazrat Zainab binte Jahash Raziyallahu Anha Fakhr se farmaya karti thi'n, Aayat ka naazil hona tha k Aap ﷺ Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke ghar Tashreef le gaye, Waha'n Tashreef le jane se pehle Aapne unhe ye khabar pahuncha di thi, Jab Sayyada Zainab Raziyallahu Anha ko ye khabar pahunchi to Aap usi waqt Sajde me gir gayi'n, Idhar Aan Hazrat ﷺ tashreef le aaye, Aapne Sayyada se daryaft farmaya :- Aapka naam kya hai ? Sayyada ne jawab diya :- Barrah _," Aapne irshad farmaya :- Nahi balki Aaj se Aapka naam Zainab hai _,"* 


[8/3, 11:14 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Zameen per Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Zenab binte Jahash Raziyallahu Anha se nikah 5 Hijri ko farmaya, Aapka Mehar 400 dirham me muqarrar hua, Aapne Dawate Walima ka Khaas Ahatmam farmaya, Sayyadna Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Aan Hazrat ﷺ ne kisi nikah me Walime me itna Ahatmam nahi farmaya Jitna k Sayyada Zenab Raziyallahu Anha ke saath nikah me farmaya, Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne Aapko mubarakbaad di, fir Aap Tamaam Azwaaj Mutahraat ke Hujre me Tashreef le gaye aur sabko Salam kiya, Sabhi ne Aapko mubarakbaad di _,*


*★_ Sayyadna Anas Raziyallahu Anhu ki Walida ne Mailda Tayyar kiya aur ek thaal me rakh kar unse farmaya :- Anas ! Ye Sarkare do Aalam ﷺ ki khidmat me le jao, Aapse arz karna k ye meri Walida ne bheja hai aur wo Aapko Salam kehti hai'n aur arz karti hain k Ey Allah ke Rasool ! Ye hamari taraf se ek Qaleel sa hadiya hai _,"*


*★_ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ki Walida rishte me Aan Hazrat ﷺ ki Khala thi'n, Sayyadna Anas Raziyallahu Anhu wo Malida le kar Aapki khidmat me haazir hue, Apni Walida ka Salam arz kiya aur unke alfaz bhi dohraye, Aap ﷺ ne farmaya :- "Jao ! Fala fala ko bula lao aur Jo Aadmi bhi Raaste me mile, use bhi bula lao _,"*


*★_ Aapne kuchh logo ke naam bhi liye, Chuna'nche Maine wahi kiya jesa k Aap ﷺ ne hukm farmaya tha, is tarah sab log aa gaye, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k wo taqriban 300 Aadmi they, Aan Hazrat ﷺ ne farmaya :- Anas ! Wo tasht lao _," Jab Hazrat Anas Raziyallahu Anhu thaal le aaye to Aapne farmaya :- 10 -10 Aadmiyo'n ka halqa bana lo aur sab Apne aage se khao _,*

[8/4, 5:18 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ ( Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ) Un Hazraat ne Hidayat ke mutabiq khana shuru kiya, Sabne Sayr ho kar khaya , Jab Sab kha chuke to Rasulallah ﷺ ne mujhse farmaya :- Ey Anas ! Ab ye tasht ko utha lo _,"*

*"_ Jab maine Tasht ko uthaya to Mai'n andaza na laga saka k jab Maine is tasht ko sabke saamne rakha tha, Us waqt usme khana zyada tha ya jis waqt uthaya, us waqt zyada tha_,*


*★_ Isi Dawate Walima me Aayate Hijaab yani Parde ki aayat naazil hui, is Aayat ke nuzool ke baad Aap ﷺ ne darwaze per parda latka liya aur logo ko ghar ke andar jane ki muma'nat ho gayi, Ye Waqia Ziqa'adah 5 Hijri ka hai, Us waqt Sayyada Zenab binte Jahash Raziyallahu Anha ki umr 35 saal thi _,*


*★_ Is Nikah ki chand Khususiyat esi hai'n Jo Aap ﷺ ke kisi aur Nikah ki nahi hai,*

*"_ Ek ye k Arab me moo'nh bola Beta Asal bete ke barabar samjha jata tha, Ye baat khatm ho gayi, Kyu'nki Jab Aan Hazrat ﷺ ne Sayyada Zenab Raziyallahu Anha se nikah kiya to Mushrikeen ne baate banana shuru kiya k Lo Ji, Musalamano ke Rasool ne to Apne Bete Zaid ki talaq yafta Bivi se nikah kar liya, is per Allah Ta'ala ka hukm naazil hua _,*

*"_ Muhammad ﷺ tumhare Mardo'n me se kisi ke baap nahi hai'n, balki Allah ke paigambar aur Nabiyo'n ki muhar ( yani Nabuwat ke silsile ko khatm kar dene wale ) hai'n aur Allah har cheez se Waaqif hai _," ( Surah Al Ahzaab :40)*


*★_ Is hukm se Allah Ta'ala ne waaze farma diya k moo'nh bola Beta Haqeeqi Bete ki tarah nahi, na us hukm me shamil hai k Beto ki Biviyo'n se nikah haram hai _,*

[8/5, 7:08 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ is nikah ki doosri Khususiyat ye hai k Aaqa aur Gulam ke darmiyan sadiyo se haa'il ma'shrati faasle kam ho gaye, Kyu'nki isse pehle log Apne gulam ki mutlaqa Bivi se nikah ko bura Samajhte they,*


*★_ Teesri Khususiyat ye hai k is Nikah ke moqe per Parde ka hukm naazil hua, Chothi Khususiyat ye hai k is Nikah ke bare me Wahi naazil hui aur Paanchvi badi Khususiyat ye hai k Nikah Asmaano per hua _,*


*★_ Hazrat Zenab binte Jahash Raziyallahu Anha doosri Azwaaj se isi buniyad per Fakhr kiya karti thi'n, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha unke bare me farmati hai'n :- "_*

*"_ Zenab binte Jahash martabe me mera muqabla karti hai'n, Rasulallah ﷺ ke nazdeek wo meri hum Palla thi'n, Maine unse zyada kisi Aurat ko Deendar, Allah se darne wali, Sabse zyada Sach bolne wali, Sabse zyada Silah Rehmi karne wali, Sabse zyada Sadqa v Khairaat karne wali nahi dekhi aur unse zyada mehnat kar ke sadqa karne wali aur Allah Jallshanhu ka qurb Haasil karne wali Aurat nahi dekhi _," ( Muslim, Asad Alqabah )*


*★_ Aap ﷺ bhi Sayyada Zenab binte Jahash Raziyallahu Anha ka in sifaat ki vajah se bahut lihaaz karte they, Aapki khatirdari farmate they,*


*★_ Apna Kafan bhi Apni Zindgi hi me Taiyar kar liya tha, Chuna'nche Jab Aapka inteqal ka waqt aaya to farmaya :- "_ Maine Apna Kafan Taiyar kar rakha hai, galiban Hazrat Umar Raziyallahu Anhu bhi mere liye Kafan bhejenge, Ek kafan kaam me le aana, Doosra Sadqa kar dena _,"*

*"_ Aur yahi hua, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Aapke liye khushbudaar Kafan bhijwaya, Aapko wohi kafan diya gaya aur jo kafan Unhone khud Taiyar karwa rakha tha, use sadqa kar diya gaya _," ( Tabqaat - 8/115)*

[8/5, 5:06 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aapka inteqal 20 Hijri me hua, inteqal ke waqt Aapki Umr 53 saal thi, Wo Zamana Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki khilafat ka tha, isiliye Namaze Janaza Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne padhayi, Hazrat Osama bin Zaid, Hazrat Muhammad bin Abdullah bin Jahash aur Hazrat Abdullah bin Abi Ahmad bin Jahash Raziyallahu Anhum ne Aapko qabr me utara, Aapko jannatul baqi me dafan kiya gaya _, ( Bukhari )*


*★_ Aapki wafaat per Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne farmaya :- "Afsos ! Aaj esi Aurat guzar gayi Jo bahut pasandida Ausaaf wali ibaadat guzaar aur Yateemo aur Bewao'n ki gam Khwar thi'n _",*


*★_ inteqal ke waqt Aapne ek makan chhoda tha, Khalifa Yazeed bin Abdul Malik ne Apne Zamane me 50 hazaar dirham me khareed kar use Masjide Nabvi me Shamil kar diya _," ( Tibri )*


*★_ Aapse 111 Ahadees rivayat ki gayi hai'n, Aap bahut ibaadat guzaar thi'n, Tahajjud Guzaar aur bahut Roze rakhne wali thi'n, Ek martaba Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Aapki khidmat me bahut sa maal bheja, Aapne us maal ko ghar ke Sahan me dhair karne ka hukm diya aur Khadima se farmaya :- is maal per kapda daal do aur iske niche haath le ja kar jitna maal haath me aata hai, Wo fala'n fala'n aur Fala'n fala'n ko de aao, Fala'n yateem ko de aao aur Fala'n Bewa ko de aao _,"*


*★"_ is tarah ye maal barabar taqseem hota raha, Aakhir jab kapde ke niche bahut thoda maal reh gaya to Khadima ne kaha - Ey Ummul Momineen ! Is maal me Aakhir hamara bhi kuchh haq hai _,"*

*"_ Aapne unse farmaya :- Achchha ! Jo Bach raha hai wo tum le lo _,"*


*★"_ kapda utha kar dekha gaya to usme sirf 85 dirham baqi they, Saara maal taqseem hone ke baad Hazrat Zenab binte Jahash Raziyallahu Anha ne haath utha kar kaha:- Ey Allah is maal ke baad Umar ka Wazifa mujhe na paye, ye maal bahut bada fitna hai _," ( Al Asaba )*


*★_ Chuna'nche Saal guzarne nahi paya tha k Aap inteqal farma gayi'n, Allah Ta'ala ki un per Karodo rehmate naazil ho'n, Aameen _,*        


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 133,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

        *⚂ HAZRAT JUWERIYA RZ ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                 

*★_ Aapka ibtedayi naam Barah tha, Walid ka naam Haaris bin Abi Farar tha, Aapke Walid Qabila bani Mustalaq ke Sardaar they, Aap ﷺ ne Apka naam tabdeel farmaya aur Juweriya rakha _,*


*★_ Aapka pehla Nikah Apne Qabile ke ek Shakhs Masaf'a bin Safwan se hua tha, Masaf'a aur Aapka Baap Haaris dono islam ke dushman they, Masaf'a Kufr ki haalat me qatl hua,*


*★_ Aapke Walid Haaris ne Quresh ke ishare per Madina Munavvara per Hamle ki taiyariya'n shuru kar di, Aan Hazrat ﷺ ko ye ittela mili k Bani Mustalaq ke Sardaar Haaris ne Madina Munavvara per Hamla karne ke liye bahut si fauj jama kar li hai, ittela milne per Nabi Kareem ﷺ ne Soorate haal maloom karne ke liye Hazrat Buraida Bin Huseb Aslami Raziyallahu Anhu ko bheja, Unhone waapas aa kar bataya k Khabar Sahi hai, is per Aap ﷺ Sahaba Kiraam ko le kar Qabila bani Mustalaq ki taraf rawana hue, Raaste me bahut se munafiq bhi lashkar me shamil ho gaye, Ye log maale ganimat ke lalach me shamil hue they,*


*★_ isse pehle itni tadaad me munafiq kabhi islami lashkar me shamil nahi hue they, Aap ﷺ ne Madina Munavvara me Sayyadna Zaid bin Harisa Raziyallahu Anhu ko Apna qaaim muqaam muqarrar farmaya aur Azwaaj me se Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha aur Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ko saath liya _,*     


[8/8, 6:26 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ye Lashkar 2 Sha'ban 5 Hijri ko rawana hua, Aap ﷺ bahut tez raftari se Safar karte hue Achanak dushman per hamla aawar hue, Us waqt wo log Apne maweshiyo ko pani pila rahe they, Hamle ki taab na la sake, Unke Das mard qatl hue baqi Mard Aurte'n aur Bachche giraftaar kar liye gaye, Maale ganimat me do hazaar oun't aur Paa'nv hazaar Bakriya'n Musalamano ke haath lagi, Do so gharane qaid hue, Inhi qaidiyo'n me Sardaar Haaris ki beti bhi thi, Yani Hazrat Juweriya Raziyallahu Anha _,"*


*★_ Jab maale ganimat taqseem kiya gaya to Sayyada Juweriya Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ke hisse me aayi'n, Aapne Hazrat Saabit Raziyallahu Anhu se farmaya :- "Aap mujhse mukatbat kar le'n _," matlab ye k koi raqam tay kar le'n, Mai'n wo ada kar du'n to mujhe Azaad kar de'n, Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ne Chaar Auqia Sone per mukatbat kar li, Aapke paas itna sona nahi tha, Aap Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me haazir hui'n, Aapne arz kiya :- "Ey Allah ke Rasool ! Aapko maloom hai Mai'n Sardaar bani Mustalaq ki beti hu'n, Aapko ye bhi maloom hai k Mai'n Qaidi hu'n, Taqseem ke mutabiq Mai'n Saabit bin Qais ke hisse me aayi hu'n, Maine unse mukatbat tay kar li hai, is silsile me Aapke paas haazir hui hu'n, Logo'n se kahe k mere liye Chanda jama kar de'n _,"*


*★_ Ye sun kar Aap ﷺ ne farmaya :- " Tum pasand karo to Mai'n tumhe isse behtar baat bata du'n aur wo ye k tumhari taraf se mukatbat ki raqam Mai'n ada kar du'n aur tumhe Azaad kar ke tumse nikah kar lu'n _,"*.

*"_ Ye sun kar Sayyada Juweriya Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Mujhe ye baat Manzoor hai _,"*


*★_ is baat ke tay ho jane ke baad Sayyada ka baap Haaris is silsile me Aap ﷺ ki khidmat me haazir hua, Usne kaha :- " Mai'n Qabila bani Mustalaq ka Sardaar hu'n, isliye meri beti Kaneez ban kar nahi reh sakti, Aap use Azaad kar de'n _,"*

*"_ Aapne jawab me farmaya :- "Kya ye behtar nahi hoga k Mai'n iska faisla tumhari beti per chhod du'n, Tum ja kar usse khud poochho _,"*

*"_ Haaris Sayyada Juweriya ke paas aaye aur ye baat Aapko batayi, is per Aapne farmaya :- "Mai'n Allah aur Uske Rasool ko Akhtyar karti hu'n _,"*

[8/9, 5:38 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Haaris Sayyada Juweriya ko chhudane ke liye bahut se oun't saath laye they, Lekin Madina Munavvara me dakhil hone se pehle Unhone unme se do Khoobsurat aur umdah oun't ek ghaati me chhupa diye taki waapsi per wo saath le jaye'n, Aap ﷺ ki khidmat me ounto ke lane ka zikr hua to Aap ﷺ ne puchha :- Unme do oun't Fala'n ghaati me chhupa aaye ho _,"*

*"_ Ye sunte hi Haaris pukaar uthe :- Mai'n gawahi deta hu'n k Aap Allah ke Rasool hai'n, Mere wo do oun't chhupane ka kisi ko ilm nahi tha, Allah ne Aapko ittela di hai _,"*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ne chaar Auqiya Sona Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ko de kar Sayyada Juweriya Raziyallahu Anha ko Azaad karaya aur Aapse nikah kar liya, Jab Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko ye baat maloom hui to unhone Bani Mustalaq ke tamaam Qaidiyo'n ko Azaad kar diya, kyunki ab ye log Rasulallah ﷺ ke Susrali Rishtedar ban chuke they, is tarah Ummul Momineen Sayyada Juweriya Raziyallahu Anha ki vajah se Bani Mustalaq ke gharane Azaad hue _,"*


*★_ Ummul Momineen Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmaya karti thi'n, :- "_ Maine Juweriya se zyada kisi Aurat ko Apne Khandaan ke haq me Ba Barkat nahi dekha Jinki vajah se ek din me itne gharane Azaad hue _,"*


*★_ Sayyada Juweriya Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "_ Aap ﷺ ke Hamla Aawar hone se teen raat pehle maine khwab me dekha tha k Chaand Yasrib se chala aa raha hai aur aa kar meri god me gir gaya hai, Maine ye baat Logo'n ko batana pasand nahi ki thi, Yaha'n tak k Aap ﷺ Tashreef le aaye, Jab hum Qaidi banaye gaye to us waqt mujhe us khwab ke poora hone ki ummeed ho chuki thi, Chuna'nche Aap ﷺ ne mujhe apne Azaad kar ke Apni Azwaaj Mutahraat me shamil kar liya _,"*

[8/10, 11:08 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aapka inteqal Rabiul Awwal 50 Hijri me hua, Ek Rivayat 56 Hijri ki bhi hai, Madina Munavvara ke governor Marwan bin Hakam ne Aapki Namaze Janaza padhayi, Aapko Jannatul Baqi me dafan kiya gaya, inteqal ke waqt Aapki Umr 65 saal thi, Ek aur Rivayat ke mutabiq Aapki Umr 70 Saal thi, Jis waqt Aan Hazrat ﷺ ki Zojiyat me aayi'n, Us waqt Umr 20 saal thi_,*


*★_ Aapse sirf chand Ahadees rivayat ki gayi hai'n, Aapne bahut Zahidana zindgi guzari, Bahut ibaadat guzaar thi'n, Ek Subeh Aan Hazrat ﷺ Aapko musalle per chhod kar gaye, Dopahar ke qareeb waapas tashreef laye to Aap usi tarah bethi nazar aayi'n, Yani us waqt se us waqt tak zikr me mashgool rahi'n, Ek Juma ko Aap ﷺ unke ghar Tashreef laye to Aap roze se thi'n _,"*


*★_ Sayyada Juweriya Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "Ek Roz Rasulallah ﷺ mere paas tashreef laye, Subeh ka waqt tha, Mai'n tasbeeh me mashgool thi, Fir Aap dopahar ke waqt Tashreef laye, Mai'n us waqt bhi Tasbeeh me mashgool thi, Mujhe usi haalat me bethi pa kar Aapne irshad farmaya :- "Kya tum Subeh se isi tarah bethi ho ? Maine jawab diya :- " Ji haa'n ! Aapne irshad farmaya :- "Mai'n tumhe kuchh ese kalmaat na sikha du'n Jo Wazan me us tamaam Tasbeeh ke barabar ho'nge Jo tum abhi padh chuki ho, Wo Kalmaat ye hai :-*

*"_ Sub'hanallahi Adada Khalqihi _,*

*"_ Sub'hanallahi Zeenata Arshihi _,*

*"_ Sub'hanallahi Riza nafsihi _,"*

*"_ Sub'hanallahi midaada Kalimatihi _,"*


*★_ Huzoor Nabi Kareem ﷺ Ko Aapse bahut Muhabbat thi, Ek martaba Aap unke ghar Tashreef laye aur puchha :- "Kuchh khane ko hai _," Aapne bataya :- "Meri Kaneez ko kisi ne sadqe ka gosht diya tha, Wohi rakha hai _,"*

*"_ Aapne irshad farmaya :- "Wohi le aao, Kyunki Sadqa jise diya gaya tha use pahunch gaya hai _,"*

*"_ Tareekh ki Kitaabo me Aapke bahut kam halaat milte hai'n, Allah ki Aap per Karodo rehmate naazil ho'n _,"*    


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 140,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

  *⚂ HAZRAT UMME HABIBA RZ ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                 

*❀__ Sayyada Umme Habiba binte Abu Sufiyan Raziyallahu Anha _,"*

*★_ Aapka naam Hind tha, Aapke Waalid ka naam Abu Sufiyan bin Harb aur Walda ka naam Safiya binte Abi Aas tha, Ye Safiya Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Foofi thi'n, Baaz mo'rkho ne Aapka naam Ramla bhi likha hai, Aap Nabuwat se 17 saal pehle paida hui'n,*


*★"_ Aapka pehla Nikah Ubedullah bin Jahash se hua, Ye Abdullah bin Jahash Raziyallahu Anhu ka bhai tha Jo Gazwa Uhad me Shaheed hue, Sayyada Umme Habiba islam ki ibtida hi me Musalaman ho gayi'n thi'n, Isi tarah Aapka Khawind Ubedullah bin Jahash bhi musalman ho gaya tha,*


*★_ Habsha ki taraf doosri hijrat karne walo me ye Miya Bivi bhi shamil they, Habsha me inke Yaha'n ek ladki paida hui, Uska naam Habiba rakha gaya, is nisbat se Aap Umme Habiba kehlayi'n, Yani ye Aapki kunniyat thi, Aapka Khawind Ubedullah kuchh dino baad murtad ho gaya, Usne Iysaa'i mazhab Akhtyar kar liya, Umme Habiba Raziyallahu Anha barabar islam per qaayam rahi'n _,"*


*★_ Sayyada Umme Habiba farmati hai'n:- "Ubedullah ke Iysaa'i hone se pehle maine khwab me use nihayat buri buayank shakl me dekha, Mai'n bahut ghabrayi, Subeh hui to pata chala wo Iysaa'i ho chuka hai, maine is ummeed per use ye khwab sunaya k shayad wo tauba kar le, lekin usne koi tavajjo na di, Yaha'n tak k isi haalat me mar gaya, Chand Roz baad maine khwab me dekha k koi mujhe Ya Ummul Momineen keh kar Awaaz de raha hai, Mai'n bahut ghabrayi, Fir jab meri iddat poori ho gayi to yakayak mujhe Nakashi Shahe Habsha ke zariye Huzoor Nabi Kareem ﷺ se nikah ka paigaam mila _," ( Tabqaat ibne Sa'ad -8/97)*   


[8/12, 7:11 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap ﷺ ne Shahe Habsha Najashi ko paigaam bheja, Ye paigaam milne per Najashi ne Apni Baandi Abraha ko Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ke paas bheja aur Aapka paigaam diya, Aap ye paigaam sun kar bahut khush hui'n aur haath ke kangan, Payro ki Pazeb aur Anguthi vagara sab utaar kar Abraha ko de diye, Shaam ke waqt Najashi ne Hazrat Jaafar Tayaar Raziyallahu Anhu aur doosre Musalamano ko jama kiya, Fir Nikah ka khutba padha,*


*★_ Us khutbe ke alfaz ye they :- "Tamaam Taareefe Allah Ta'ala ke liye hai'n, Mai'n gawahi deta hu'n k Allah Ta'ala ke siva koi ma'abood nahi aur Mai'n gawahi deta hu'n k Muhammad ﷺ Allah ke Barguzida Bande aur Rasool Barhaq hai'n aur Aap wahi Nabi hai'n Jinki Iysaa bin Maryam Alaihissallam ne Basharat di thi, Rasulallah ﷺ ne mujhe Tehreer farmaya hai k Mai'n Aapka nikah Umme Habiba binte Abi Sufiyan se kar du'n, Maine Aap ﷺ ke irshad ke mutabiq Aapka nikah Umme Habiba se kar diya aur Chaar So dinaar Mahar muqarrar kiya _,"*


*★_ Nikah ke baad logo ne uthne ka iraada kiya to Najashi ne kaha :- Abhi bethe'n ! Hazraat Ambiya Alaihissallam ki sunnat ye hai k Nikah ke baad Walima bhi hona chahiye _,"*

*"_ is tarah dawat Walima hui, Khane ke baad ye Hazraat rukhsat hue, Najashi ne Apni Khadima ke Zariye Mehar ki raqam Umme Habiba Raziyallahu Anha ko bhijwayi, Ye raqam Najashi ki wohi baandi Abraha le kar gayi, Umme Habiba Raziyallahu Anha ne use 50 dinaar bator inaam diye, To usne wo dinaar aur pehle jo zever Aapki taraf se use mile they, Wo bhi unhe waapas kar diye aur boli :-*

*"_ Najashi ne mujhe Hidayat ki hai k Aapse kuchh na lu'n aur Aap Yaqeen kar le'n, Mai'n Muhammad ﷺ ki pairukaar ban chuki hu'n aur Allah Ta'ala ke liye Deene islam ko qubool kar chuki hu'n aur Aaj Badshah ne Apni begamaat ko hukm diya hai k unke paas jo Khushbu aur Atar ho, Usme se zaroor Aapke liye hadiya bheje'n _,"*


*★_ Doosro roz Abraha bahut sa Oad aur Anbar vagera Aapke paas layi, Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Maine wo oad aur Anbar sab rakh liya aur Apne saath Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me layi" _,*

[8/13, 7:16 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jab Abraha ye khushbue'n layi to usne Umme Habiba Raziyallahu Anha se kaha :- "Meri ek darkhwast hai k Aap Nabi Kareem ﷺ ki khidmat Aqdas me mera salam arz kar de'n aur mere bare me bata de'n k Mai'n Deene islam Qubool kar chuki hu'n _,"*


*★_ Ummul Momineen Umme Habiba Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "Jab tak Mai'n Madina Munavvara ke liye rawana na ho gayi, Abraha barabar mere paas aati rahi aur kehti rahi, Dekhiye ! Meri darkhwast bhool na jana, Chuna'nche jab Mai'n Madina Munavvara pahunchi to ye tamaam baate Aap ﷺ se bayan ki, Aap ﷺ sun kar muskurate rahe, Aakhir me jab Maine Abraha ka Salam aur Paigaam pahunchaya to Aap ﷺ ne farmaya - Alaihissallam wa Rahmatullahi WA Barakatuhu _,"*


*★_ Allah Ta'ala ne Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ko Seerat ke saath husne Soorat se bhi nawaza tha, Aapko islam aur Aap ﷺ se bahut Muhabbat thi, Yahi vajah thi k Khawind murtad hone per bhi Aap islam per dati rahi'n, Aapne Khawind ke Iysaa'i hone ki koi parwah nahi ki _,"*


*★_ Fateh Makka se pehle Hazrat Abu Sufiyan Suleh ki muddat me izafe ke liye Madina Munavvara Tashreef laye, Yani Abhi wo Musalaman nahi hue they, udhar ye rawana hue, idhar Aan Hazrat ﷺ ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko khabar di k Abu Sufiyan Makka se Suleh ki muddat me izafe ke liye aa rahe Hai'n, Ye Suleh Hudebiya ke muqaam per hui thi _,"*

[8/14, 5:41 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Jab Abu Sufiyan Madina Munavvara me dakhil hue to Sabse pehle Beti se milne ke liye unke ghar aaye, Andar dakhil hone ke baad Aap Sarkarer Do Aalam ﷺ ke bistar per bethne lage, To Ummul Momineen Umme Habiba Raziyallahu Anha ne foran Aap ﷺ ka bistar lapet diya _,*


*★_ Hazrat Abu Sufiyan dhak se reh gaye aur naraaz ho kar bole :- "Ye kya Beti ! Tumne bistar kyu lapet diya ? Tune bistar ko mere qabil nahi samjha ya mujhe bistar ke qabil nahi samjha _,"*

*"_ Ummul Momineen Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ne farmaya :- "Ye Allah ke Rasool ﷺ ka bistar hai, is per ek mushrik nahi beth sakta jo shirk ki najasat se Aalood ho _,"*

*"_ ye sun kar Hazrat Abu Sufiyan ko gussa aa gaya, bole :- Allah ki qasam ! Tu mere baad Shar me mubtila ho gayi_,"*

*"_ Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ne jawab diya :- "Mai'n Shar me nahi balki Kufr ke andhere se nikal kar islam ke Noor aur Hidayat ki Roshni me dakhil ho gayi hu'n aur Hairat hai k Aap Quresh ke Sardaar ho kar Pattharo ko poojte hai'n Jo na sunte hai'n na dekhte hai'n _,"*


*★_ Ek aur Hadees se unki Deen se muhabbat ka andaza hota hai, Wo farmati hai'n :- Maine Huzoor Nabi Kareem ﷺ se suna hai k Jo Shakhs din aur Raat me 12 raka'at namaz nawafil ada kare, Uske liye Jannat me ghar banaya jayega aur jab maine ye suna us waqt se hamesha nawafil padhti hu'n, Kabhi unko tark nahi kiya _,"*


*★_ Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ne 44 Hijri me Madina Munavvara me wafaat payi, Wo unke Bhai Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki khilafat ka daur tha, Lekin ek rivayat ye bhi hai k Aapka inteqal Sayyadna Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki wafaat ke ek saal baad yani 59 Hijri me hua, Zyada durust baat 44 Hijri wali hai, Wafaat ke waqt Aapki Umr 73 saal thi _",*


*★_ Wafaat ke waqt Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ne Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ko bula kar kaha :- "Mujhme aur Tumme wo Talluqaat they jo Aapas me Sokano ke hote Hai'n, Allah un sab baato ko ma'af farmaye aur tumse darguzar farmaye _,"*

*"_Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne unse farmaya :- "Tumne mujhe khush kar diya, Allah tumhe khush rakhe _,"*

*"_ Aapne isi tarah Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ko bula kar farmaya, Aapke Yaha'n Abdullah bin Jahash se Do Bachche hue, Ek Abdullah doosri Habiba, Habiba ne Aap ﷺ ki goad me Parwarish payi thi, Allah ki un per Karodo rehmate naazil ho'n _,"*

      

*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 145,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

*⚂ HAZRAT SAFIYA BINTE HAYII RZ ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                  *❀_ Ummul Momineen Sayyada Safiya binte Hayii Raziyallahu Anha_,*


*★_ Aapka Naam Zenab tha, Gazwa Khaibar ke moqe per Aap Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke hisse me aayi'n thi, Arab me maale ganimat ke tor per jo hissa Hukmran ya Badshah ko milta tha, Use Safiya kehte they, isliye Aap bhi Safiya ke Naam se Mash'hoor hui'n _,*


*★_ Aapke Waalid ka naam Hayii bin Akhtab tha, Ye Banu Nazeer ka Sardaar tha, Maa'n ka Naam Farah tha, Sayyda Safiya Raziyallahu Anha ka pehla Nikah Salam bin Mushkim se hua tha, Salam ne Aapko Talaq de di to Doosra Nikah Kanana bin Haqeeq se hua, Ye Kanana Khaibar ke Sardaar ka bhatija tha, Kanana Khaibar ki Ladayi me maara gaya, Sayyada Safiya Raziyallahu Anha ke baap aur Bhai bhi is Jung me maare gaye, khud bhi giraftaar hui'n _,"*


*★_ Pehle Do Khawindo se Aapke Yaha'n koi aulaad nahi hui thi, Aan Hazrat ﷺ ne Aapko Azaad kar ke Nikah kar liya, Teen din tak Walima kiya aur Yahi Aapka Mehar qaraar paya _,"*


*★_ Walima Ajeeb Shan se hua, Chamde ka ek dastarkhwan bichha diya gaya, Aapne Sayyadna Anas Raziyallahu Anhu se farmaya :- Elaan kar do k Jiske paas jo kuchh hai, le aaye _," Chuna'nche koi khajoor le aaya, koi paneer aur Sattu aur ghee laya, is tarah bahut si cheeze dastarkhwan per jama ho gayi'n, Sabne mil kar Walima nosh kiya, is Walime me gosht aur roti kuchh nahi tha, Ye Walima Sahba ke muqaam per hua _,"*


*★_ Jab Aap ﷺ Sahba ke muqaam se rawana hue to Aap ﷺ ne khud Sayyada Safiya Raziyallahu Anha ko oun't per Sawaar karaya, Abi Aba se un per parda kiya, Ye is baat ka elaan tha k Sayyada Safiya Raziyallahu Anha Ummul Momineen hai'n _,*     


[8/16, 6:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Sayyada Safiya Raziyallahu Anha Aapki Zojiyat me aayi'n to Aap ﷺ ne Aapke chehre per ek nishan dekha, Aapne puchha :- "Safiya ye nishan kesa hai _,"*

*Sayyada ne bataya :- Ek din Maine khwab dekha k Chaand meri goad me aa kar gira hai, Ye khwab maine Apne Shohar ko sunaya to usne zor se mere moo'nh per ek thappad maara aur kaha :- "Yu Yasrib ke Badshah ki tamanna karti hai _,"*


*★_ Ye ishara Aap ﷺ ki taraf tha, Sayyada Safiya Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "Khaibar ki Ladayi ke baad jab Mai'n giraftaar ho gayi aur mujhe Aap ﷺ ke saamne pesh kiya gaya to us waqt Aapse zyada na pasandida insaan mere nazdeek koi nahi tha, Kyunki mera baap, Khawind aur doosre rishtedar qatl ho chuke they, Aap ﷺ ne mujhse farmaya :-"Tumhari Qaum ne hamare saath ye ye kiya hai _,"*

*_ Aap farmati hai'n :- "Jab Mai'n Aapke paas se uthi to Aap ﷺ se zyada mehboob mujhe koi nahi tha_,"*


*★_ Aap farmati hai'n :- "Maine Rasulallah ﷺ se zyada Husne Akhlaaq ka mujassama koi aur nahi dekha, Aap raat ke waqt khaibar se ek ountni per Sawaar hue, us waqt mujhe oungh aa rahi thi, Aap mujhe baar baar jagate k kahi'n Mai'n oun't se gir na jau'o _,"*

*"_ Aap farmate :- Ey binte Hayii ! thodi der intezar karo, Yaha'n tak k hum Sahba pahunch jaye'n _,"*


*★_ Aap jab khaibar se Madina Munavvara aayi'n to Haaris bin No'maan ke makan per utari gayi'n, Aapke Husno Jamaal ki shohrat sun kar Ansar ki Aurte'n Aapko dekhne ke liye aayi'n _,*

[8/17, 6:34 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap Chand Ahadees ki Raavi hai'n, Doosri Azwaaj ki tarah Aapka ghar bhi ilm ka markaz tha, Aurte'n Aapke paas Masa'il maloom karne ke liye aaya karti thi'n, Doosre Shehro se bhi Masa'il poochhne ke liye aati thi'n, Aap nihayat Aqalmand thi'n, Aalima aur Faazila thi'n, Burdbaari to Aap me koot koot kar bhari hui thi, Aapme bardasht ka bhi bahut madda tha _,"*


*★_ Khaybar ki Ladayi ke baad jab Aap Apni behan ke saath giraftaar ho kar aa rahi thi'n to Aapki behan Yahoodiyko ki laasho ko dekh kar cheekh uthi thi'n, Lekin Aap unki tarah bilkul nahi cheekhi'n, Yaha'n tak k Apne Shohar ki laash dekh kar bhi Sabr se kaam liya,*


*★_ Aapki ek Khadima Hazrar Umar Raziyallahu Anhu ke paas gayi, Usne Aapse kaha :- Sayyada Safiya Raziyallahu Anha me abhi tak Yahood ka Asar baqi hai, Wo Yaume Sabt ko achchha samajhti hai'n aur Yahoodiyo ke saath Silah Rehmi karti hai'n _,"*

*"_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne tehqeeq ke liye ek Shakhs ko bheja, Sayyada Safiya ne unhe bataya :- "Jabse Allah Ta'ala ne hume Jume ka Din ata farmaya hai, Mai'n Yaume Sabt ko bilkul achchha nahi samajhti, Albatta Mai'n Yahoodiyo ke saath Silah Rehmi karti hu'n, Kyunki Wo mere Rishtedar hai'n _,"*


*★_ Iske baad Aapne us Khadima ko bula kar Puchha:- "Tune Umar se meri Shikayat kiske uksane per ki _,"*

*"_ Usne jawab diya:- Shaitaan ke uksane per _," Aap ye Sun kar pehle to khamosh rahi'n, Fir farmaya :- "Jao Tum Azaad ho _,"*

[8/18, 6:21 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap Nabi Kareem ﷺ se bahut Muhabbat karti thi'n, Jab Nabi Kareem ﷺ ki tabiyat Aakhir waqt me nasaaz hui to Aapne nihayat hasrat se kaha :- Kaash ! Aapki Bimari mujhe lag jaati _,"*

*"_ Is per Tamaam Azwaaj ne Aapki taraf dekha to Aap ﷺ ne farmaya :- "Safiya sach keh rahi hai _,"*


*★_ Sarkare do Aalam ﷺ ko bhi Aapse bahut Muhabbat thi, Aap har moqe per Aapki diljoi farmate they, Ek Safar me Hazrat Safiya Raziyallahu Anha ka oun't bimaar ho gaya, Us Safar me doosri Azwaaj Mutahraat bhi saath thi'n, Ek Sahabiya ke paas Do oun't they, isliye Aap ﷺ ne unse farmaya :- "Tum Safiya ko ek oun't de do _,"*

*"_ Unhone na diya to Aap Do maah tak un Sahabiya se naraaz rahe _,*


*★_ Hajj ke safar me Azwaaj Mutahraat bhi Aapke Saath thi'n, Raaste me ek jagah Sayyada Safiya Raziyallahu Anha ka oun't beth gaya, is tarah Aap sabse pichhe reh gayi'n aur rone lagi'n, Nabi Kareem ﷺ ko pata chala ti Aapke paas tashreef laye, Apni chaadar mubarak se Aapke Aa'nsu pochhe, Nabi ﷺ Aa'nsu pochhte jate they aur Aap aur zyada roye jati thi'n,*

*"_ Farmati thi'n :-"Nabi ﷺ mujhe rone se mana farmate rahe, lekin jab mera rona band na hua, tab Aap ﷺ ne zara sakhti se mana farmaya _,"*


*★_ Aap Chu'nki Yahoodiyo ke Sardaar ki beti thi'n, isliye shuru hi se Apne chaaro taraf Daulat ke ambaar dekhe hai'n, Allah Ta'ala ne Aapki Tabiyat me fayyazi ata farmayi thi, Jab Aap Ummul Momineen ban kar Madina Munavvara me aayi'n to Aapke paas sone ke zevraat they, Aapne unme se kuchh Sayyada Fatima Raziyallahu Anha aur kuchh doosri Aurto'n ko de diye _,*

[8/18, 7:00 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Ramzanul Mubarak me jab Nabi Kareem ﷺ Aitkaaf me they k Sayyada Safiya Raziyallahu Anha Aapse milne ke liye masjid me aayi'n, Sayyada Safiya Raziyallahu Anha ne kuchh der tak Aap ﷺ se baat ki, fir uth kar Waapas jane lagi'n to Aap ﷺ unhe rukhsat karne darwaze tak Tashreef laye, Yaha'n tak k Aap Masjid ke darwaze tak aa gaye, Ese me Ansar ke do Aadmi paas se guzre, Unhone Aap ﷺ ko salam kiya, Aapne unse farmaya :-*

*"_ Zara thehro aur jaan lo ! Ye meri Bivi Safiya binte Hayii hai _,"( matlab ye tha k kahi'n aur na samajh lena k Paigambar Raat ki tareeki me maloom nahi kia Aurat ke saath thehre hai'n )*


*★_ Un dono ne arz kiya:- "Ey Allah ke Rasool ! Hum aur bhala Aapke bare me esa khayal karenge ? Aapne irshad farmaya :- "Shaitaan insaan ke andar khoon ki tarah daudta hai, Mujhe dar hua, Kahi'n wo tum dono ke dilo me koi esi baat na daal de, isliye maine wazahat kar di _,"*


*★_ Jab Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Balwaiyo ne ghair liya to us zamane me Sayyada Safiya Raziyallahu Anha ne Aapki bahut madad ki thi, Un zalimo ne khana aur Paani band kar diya tha, Yani bahar se koi cheez andar nahi jane dete they, us haalat me Sayyada Safiya Raziyallahu Anha khachchar per Sawaar ho kar Aapki taraf rawana hui'n, Aapke gulam Kanana Aapke saath they, Balwaiyo me se Maalik Ashtar Aapke raaste me aa gaya aur Aapke Khachchar ke moo'nh per maarne laga, is tarah Aap majbooran waapas laut gayi'n, Fir Aapne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke Zariye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko khana aur Paani pahunchaya_,*


*★_ Aap bahut Saliqa Sha'ar thi'n, khana bahut umda pakati thi'n, Aap ﷺ ki jab doosri Azwaaj Mutahraat ke Yaha'n baari hoti thi to khana paka kar us ghar me bhi bheja karti thi'n,*


*★_ Aapne Ramzanul Mubarak 50 Hijri me wafaat payi, Jannatul Baqi me dafan hui'n, Us waqt Aapki Umr 60 saal thi, Allah ki un per Karodo rehmate naazil ho'n, Aameen _,"*    


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 150,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

    *⚂ HAZRAT MAIMUNA RZ ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                   ❀_ Ummul Momineen Sayyada Memuna binte Haaris Raziyallahu Anha _,*


*★_ Aapka bachpan ka naam Barah tha, Aan Hazrat ﷺ ne Barah se Memuna tajveez farmaya, Aapke Waalid ka naam Huzn bin Hujair tha aur Walida ka naam Hind binte Auf tha_,*


*★_ Sayyada Memuna Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ki Haqeeqi Khala thi'n, Kyunki Aapki badi behan lubaba Kubra Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu ki Zoja Mohatram thi'n, Chhoti Behan Lubaba Sugra Waleed bin Mugira ki Bivi thi'n aur Hazrat Khalid bin Waleed Raziyallahu Anhu ki Walida thi'n, Is lihaaz se Hazrat Memuna Raziyallahu Anha dono Sahabiyo ki khala thi'n,*


*★_ Aapka pehla Nikah Jaahiliyat ke daur me Masoud bin Amru se hua tha, lekin kisi vajah se dono me alhaidgi ho gayi thi, uske baad Aapka nikah Abu Raham se hua, Abu Raham ka Inteqal ho gaya to Aan Hazrat ﷺ ne Aapse nikah farmaya, Ye nikah 7 Hijri me hua, us waqt Aap Umre ke safar se Waapas Tashreef la rahe they, Waapsi ke safar me Sarf ke muqaam per ye nikah farmaya,*


*★_ Aan Hazrat ﷺ ki ye wo Zoja hai'n Jinka inteqal sabse Aakhir me hua, Aapka nikah muqame Sarf me hua tha aur Aapki wafaat bhi isi muqaam per hui, Aapki Namaze Janaza Aapke Bhaanje Sayyadna Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ne padhayi _,*     


*★_ Aap Deeni Masa'il ki bahut badi Aalima thi'n, Ek Aurat bimaar ho gayi, Usne mannat maani k Agar wo Shifayaab ho gayi to Baitul Muqaddas ja kar namaz ada karegi, kuchh dino baad wo Sahatmand ho gayi aur Apni mannat ke mutabiq Baitul Muqaddas jane ki tayyari karne lagi, Waha'n ke liye rukhsat hone se pehle Sayyada Memuna Raziyallahu Anha ke paas aayi, Aapko ye baat maloom hui to usse farmaya:-*

*"_ Tum yahi'n Masjide Nabvi me ja kar namaz padh lo, kyunki is Masjid me namaz padhne ka sawab doosri Masajid me namaz padhne ke sawab se hazaar guna zyada hai _,"*  


*★_ Aap Nabi Kareem ﷺ ke ahkamaat ki tameel ke liye khud ko har waqt Tayyar raha karti thi'n, Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n :- "Memuna Sabse zyada Allah se darne wali aur Silah Rehmi karne wali hai'n _,"*


*★_ Aapko gulam Azaad karne ka bahut Shoq tha, Ek Roz ek Baandi ko Azaad kiya to Aan Hazrat ﷺ ne Aapko bade Sawab ki khush Khabri sunayi,*

*_ Aap kabhi kabhi qarz bhi le leti thi'n,*.


*"_ Chuna'nche ek martaba qarz liya, Raqam kuchh zyada thi, Kisi ne Aapse puchha :- "Aap ye qarz kese ada karengi _,*.

*"_ Aapne farmaya:- "Rasulallah ﷺ ne farmaya hai Jo Shakhs qarz ada karne ki niyat rakhta ho, Allah Ta'ala khud uska qarz ada farma dete Hai'n _,"*


*★_ Aap per Karodo rehmate naazil ho'n, Aameen,* 


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 156,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

⚂⚂⚂.

        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁

     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮

    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙

   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*

 *⚂ HAZRAT MAARIYA QIBTIYA RZ⚂* 

  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                   *❀_ Sayyada Mariya Qibtiya Raziyallahu Anha _,"*


*★_ Aapka Naam Mariya tha aur Aapke Walid ka naam Sham'oun tha, Misr ke Badshaah Maquqas ne Hazrat Mariya Raziyallahu Anha ko Aap ﷺ ki khidmat me Bator Hadiya bheja... Aur ye ese hua tha k Aan Hazrat ﷺ ne Arab ke gardnawah ke hukmrano ko islam ki dawat ke khutoot likhe they, Misr ke hukmran Maquqas ko bhi Aapne isi tarah khat likha, Ye khat Aapke Sahabi Haatib ibne Abi Balta Raziyallahu Anhu ke haath bheja, Shahe Maquqas Hazrat Haatib Raziyallahu Anhu se bahut izzat se pesh aaya, Aap ﷺ ke khat ke jawab me usne ek khat likha, Uske Alfaz ye they :-"*


*"_ Muhammad bin Abdullah ke naam Misr ke Badshaah Maquqas ki taraf se, Salam ke baad waaze ho k Maine Aapka khat padha, Jo kuchh iska majmoon hai wo maine samajh liya hai, Mujhe ye to maloom hai tha k ek Nabi aane wale hai'n lekin mera guman tha k wo Mulke Shaam me Zaahir ho'nge, Maine Aapke Safeer ki bahut izzat aur Takeeem ki hai, Do ladkiya'n bhej raha hu'n, Unki Qibtiyo'n me bahut izzat hai aur Mai'n Aapke liye Kapda aur Sawaari ka Khachchar bhi bhej raha hu'n, Wasallam _,"*


*★_ Ye Dono Ladkiya'n Hazrat Mariya aur Unki Behan Sireen thi'n, Misr ke Badshaah ne in dono ke saath Hazaar Mashqal Sona, 20 Safed Kapde ke thaan aur Aapki Sawari ke liye Duldul naam ka Khachchar irsaal kiya _,"*


*★_ Aap ﷺ ne Hazrat Mariya Raziyallahu Anha ko Baala Khane me thehraya, is Baala Khane me Aapke Yaha'n Hazrat Ibrahim Raziyallahu Anhu paida hue, Aap ﷺ ki Aakhri Aulaad Ibrahim Raziyallahu Anhu hai'n, Unki Paidaish 8 Zilhijja ko hui, Saatve Roz Aap ﷺ ne unka Aqeeqa kiya, Aqeeqe me Aapne do mendhe zibah kiye, Sar mundwaya aur Baalo ke wazan ke barabar Chaandi tol kar sadqa ki gayi, Baal Zameen me dafan kiye gaye _,*      


*★_ Ibrahim bahut Tandurast aur Khoobsurat they, Hazrat Abu Ra'afe Raziyallahu Anhu ne jab Aap ﷺ ko bete ki paidaish ki Khush Khabri sunayi to Aap ﷺ itne khush hue k Aapne Abu Ra'afe Raziyallahu Anhu ko Ek Gulam ina'am me de diya, Aap ﷺ Ibrahim ko goad me le kar pyaar kiya karte they_,*


*★_ Arab ke qa'ade ke mutabiq Hazrat Ibrahim ko doodh pilane ke liye ek Daaya ke hawale kiya gaya, Unka naam Umme Bardah Raziyallahu Anha tha, Ye ek lohaar ki Bivi thi'n, Unke Chhote se ghar me aam tor per Bhatti ka dhuwa'n rehta tha, Aap ﷺ bachche ko dekhne ke liye lohaar ke ghar jaate, Waha'n dhuwa'n Aapki Aankho'n aur naak me chala jata tha, Aap intehayi nazuk tab'a hone ke bavjood bachche ki khatir isko bardasht karte,*


*★_ Ibrahim abhi 16 ya 18 maah ke hue they k unka inteqal ho gaya, Unhone Aapke haatho mr jaan di, Aapki Aankho'n se Aa'nsu jaari ho gaye, Aapki zuban mubarak se ye Alfaz ada hue :- "Allah ki qasam Ibrahim ! Hum tumhari maut se bahut gamgeen hai'n, Aankh ro rahi hai, Dil gamzada hai, magar hum esi baat zuban se nahi kahenge jisse hamara rab raazi na ho _,"*


*★_ Jis Roz Ibrahim faut hue us Roz Suraj Grahan ho gaya, Purane zamane me logo ka ye aitqaad tha k Suraj Grahan aur Chaand Grahan kisi bade Aadmibki maut se hua karta hai'n, is aitqaad ki buniyad per Madina Munavvara ke log bhi ye baat kehne lage, Aapko ye baat bahut nagawaar hui, Aapne logo ko jama farmaya aur unke saamne ek taqreer ki, usme Aapne farmaya:-*

*"_ Suraj aur Chaand ko kisi insaan ki maut se grahan nahi lagta, balki ye Allah ki nishaniyo me se do nishaniya'n hai'n, Jab tum esa dekho to namaz padho aur Allah Ta'ala ke huzoor jhuk jao _,"*


*★_ Sayyada Mariya Qibtiya Raziyallahu Anha ne Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ke daur me 16 Hijri me inteqal farmaya, Aapko jannatul baqi me dafan kiya gaya, Allah Ta'ala ki Aap per Karodo rehmate Ho'n _,"*


*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 158,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵

💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 

                    ✍

         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/

*👆🏻Visit for All updates,*

https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg

*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,**

https://t.me/haqqKaDaayi

*👆🏻Telegram Per Join Link_,*

┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments