AHKAAM E MAYYAT- ROMAN

 

☆❖❖☆
      ╭•═════•✭﷽✭•════•╮  
╭ *📿 AHKAAME MAYYAT 📿* ╮
      *╂────────────────╂*
*╠☞_Mayyat Ko Nehlane aur Kafnane ka Sawaab,*

*✧⇝ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,*
*"_ Jo shakhs Mayyat ko gusl de WO gunaho se ESA paak ho jata he jese ab maa'n ke pet se paida hua ho ,*

*✧⇝Aur Jo Mayyat per Kafan daale Allah ta'ala usko Jannat ka Joda pehnayenge ,,"*

*📓_ Attargeeb v Tarheeb, kitabul Janaza - Jild 4,*

  *╠☞_ Mayyat ko Kaun nahlaye ?*                        
*✿_ 1- Mayyat ko Nahlane ka Haq sabse pehle to uske qareeb tareen Rishtedaro ko he, Behtar he khud nahlaye aur Aurat ki Mayyat ko qareebi Rishtedar Aurat nahlaye, kyuki ye apne azeez ki aakhri khidmat he ,*
*® Durre Mukhtar,*

*✿ _2- Koi doosra shakhs bhi nahla sakta he lekin Mard ko Mard aur Aurat ko Aurat gusl de, jo zaruri masail se waqif ho aur deendar ho,*
*® Shaami,*

*✿ _3- Kisi ko ujrat dekar bhi Mayyat ko gusl dilaya ja sakta he, lekin ujrat lekar gusl dene wala sawab ka mustahiq nahi hota, agarche ujrat lena jaa'iz he,*
*® Bahishti Gohar,*

*✿_ 4- Agar koi Mard mar gaya aur Mardo me se koi nahlane wala nahi ho to Bivi ke alawa kisi Aurat ke liye usko gusl dena jaa'iz nahi ,agarche Mahram hi ho,*
*⇛Agar Bivi bhi na ho to Aurat use Tayammum kara de gusl na de ,lekin tayammum karane wali Aurat agar Mayyat ke liye gair Mahram ho to uske Badan ko haath na lagaye balki apne haath me dastane pahan kar Tayammum karaye,*

*✿_ 5- Kisi ka Khawaind mar gaya to Bivi ko Uska chehra dekhna, Nahlan aur Kafnana durust he,*
*⇛Aur agar Bivi mar jaye to to Shohar ko use nahlane, uska badan chhoona aur Haath lagana durust nahi, albatta dekhna durust he, aur Kapde ke ouper se haath lagana aur janaza uthana bhi jaa'iz he,*
*® Bahishti Zever, Musafire Akhirat,*

*✿_ 6- Agar kisi nabalig ladke ka inteqal ho jaye aur wo abhi itna chhota tha k use dekhne se shahwat nahi hoti to Mardo ki tarah Aurate bhi ese ladke ko gusl de sakti he,*
*⇛ Aur agar nabalig ladki ka inteqal ho jaye aur wo itni kam umar ho k use dekhne se shahwat nahi hoti to esi kam umar ladki ko Aurto ki tarah Mard bhi gusl de sakte he,*
*⇨ albatta nabalig ladka aur ladki itne bade ho k unko dekhne se shahwat hoti he to Ladke ko Mard aur Ladki ko Aurat hi gusl de,*
*® Aalamgeer,*

*✿ _7- Gusl dene wala ba vazu ho to behtar he,*
*✿_ 8- Jo shakhs haalate Janabat me ho ya jo Aurat haiz ya nifaas me ho wo Mayyat ko gusl na de, kyuki unka gusl dena makrooh he,*
*® Shaami, Bahisti Zever,*

*╠☞_ Gusl dene Walo ke Liye Hidayaat,*                    
*✿ _1- Tareeqe ke mutabiq Gusl diya jaye, ( Tareeqa aage likha jayega in sha Allah ),*
*✿ 2- Gusl ke liye jo Samaan Zarurat ka he wo apne paas jama rakhe,*
*✿_ 3- Gusl dene ke liye Beri ke patte daal kar garm pani tayyar kar le, Jab neem garam reh jaye usse gusl de,*
*⇛Agar Beri ke patte mayassar na ho to yahi saada neem garam pani kaafi he,*

*® Bahishti Zever,*

*✿ 4- Bahut tez garam pani se gusl na de,*
*✿ 5- Gusl dene ke liye ghar ke bartan istemal kiye ja sakte he'n, naye Bartan mangana zaruri nahi,*
*✿ 6- Jis Jagah gusl diya jaye wo esi ho k pani behkar nikal jaye, varna logo ko chalne firne me takleef hogi,*

*✿ 7- Jis jagah Gusl diya jaye waha parda hona chahiye,*
*✿_ 8- Mayyat ke Baalo me Kanghi na kare, na nakhoon kaate, na hi kahi ke baal kaate, sab isi tarah rehne de,*
*✿ 9- Agar nehlane me Mayyat ka koi aib dekhe to kisi se na kahe, agar khuda na khasta marne se uska chehra bigad gaya ya kaala ho gaya to ye bhi na kahe aur bilkul iska koi charcha na kare, k ye sab na-jaaiz he,*

*✿_ 10-Agar koi achchhi alaamat dekhe, maslan chehra nooraniyat aur Tabassum vagera, to use zaahir karna mustahab he,*
*✿_ 11- Jo shakhs pani me doob kar ya Aag se jalkar halaak hua ho to uske gusl aur Kafan dafan vagera ke masail pehle dekh liye jaye,*
*✿_ 12- Agar pani na hone ke sabab kisi Mayyat ko Tayammum kara diya gaya ho aur fir pani mil jaye to usko gusl de dena chahiye,*
*® Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*

*╠☞_Mayyat ko Gusl Dene ka Tareeqa-,*

*✿_ Jis Takhte per Gusl diya jaye usko 3 dafa ya 5 dafa ya 7 dafa lobaan ki dooni de lo aur Mayyat ko us per is tarah litaao k qibla uske Daayi taraf ho,*
*⇛ Agar moqa na ho aur kuchh mushkil ho to jis taraf chaho lita do,*

*®_Fatahul Qadeer ,1/449, Shaami ,1/800,*

*✿ _Fir Mayyat ke Badan ke kapde ( Kurta,Sherwani, Baniyan vagera ) chaak kar do aur ek Tahband uske satar per daal kar andar hi andar wo kapde utaar lo,*
*⇛Ye Tahband mote kapde ka naaf se pindli tak hona chahiye, taki bheegne ke baad andar ka Badan nazar na aaye ,*

*⇛"_ Masla -- Naaf se lekar Jaanu tak dekhna jaa'iz nahi ,esi jagah haath lagana bhi na-jaa'iz he, Mayyat ko istinja karane aur Gusl dene me us jagah ke liye dastane pehanna chahiye ya kapda haath per lapet le , kyuki zindgi me jis jagah haath lagana jaa'iz nahi waha marne ke baad bhi bila dastane ke haath lagana jaa'iz nahi aur us per nigaah bhi na daalo,*

*✿_ Gusl shuru karne se pehle Baaye haath me Dastana pehan kar mitti ke 3 ya 5 dhelo se istinja karao, fir pani se paak karo, fir vazu is tarah karao k na kulli karao, na naak me pani daalo, na gatto tak haath dhulao, balki Rooi ka faaya tar karke honto, daanto aur masudo per fer kar fenk do, is tarah 3 dafa karo,*

*✿_ Fir is tarah naak ke dono surakho ko Rooi ke faaye se saaf karo,*
*⇛Lekin agar Gusl ki zarurat ( Janabat ) ki haalat me maut Hui ho ya Aurat inteqaal ke waqt Haiz ya Nifaas ki haalat me ho to moonh aur naak me pani daalna zaruri he, Pani daalkar kapde se nikaal lo,*

*✿_ Fir naak aur moonh aur kaano me Rooi rakh do taki Vazu aur Gusl karat waqt Pani andar na jaye,*

*✿_ Fir moonh dhulao, Fir haath kohniyo samet dhulao, fir sar ka masah karao, Fir 3 dafa dono payr dhulao,*

*✿_ Jab Vazu kara chuko to sar ko ( aur agar Mard he to Daadi ko bhi ) Gule khairu se ya Khatmi ya Khali ya Besan vagera se k jisse saaf ho jaye mal kar dho do ,*

*✿_ Fir use Baayi karwat litaao aur Beri ke patto me pakaya hua neem garam pani Daayi karwat per 3 dafa sar se payr tak itna daalo k niche ki jaanib Baayi karwat tak pahunch jaye ,*

*✿_ Fir Daayi Karwat per litaa kar isi tarah se payr tak 3 dafa itna pani daalo k niche ki jaanib Daayi karwat tak pahunch jaye,*

*✿_ iske baad Mayyat ko apne Badan ki tek lagakar Zara bithlane ke qareeb kar do aur uske pet ko ouper se niche ki taraf aahista aahista malo aur dabao,*
*⇛ Agar kuchh peshab ya pakhana bager kharij ho to sirf usi ko ponchh kar dho do, Vazu aur Gusl dohrane ki zarurat nahi. Kyuki is napaaki ke nikalne se Mayyat ke Gusl aur Vazu me koi nuksaan nahi aata,*

*✿_ Fir usko Baayi karwat litaa kar Daayi karwat per kafoor mila hua pani Sar se payr tak 3 dafa khoob baha do k niche Daayi karwat bhi khoob tar ho jaye, Fir doosra Dastana pehan kar saara Badan kisi Kapde se Khushk karke Tahband doosra badal do ,*

*✿_ Fir Chaarpai per Kafan ke kapde Masnoon tareeqe per ouper niche bichha do ,( Masnoon tareeqa aage part me likha jayega in sha Allah)*
*_ Fir Mayyat ko Aahista se Gusl ke Takhte se uthaa kar Kafan ke ouper litaa do aur Naak Kaan aur Moonh se Rooi nikaal dalo ,*
*®_ Fatawa Hindiya ,Durre Mukhtar ,Bahishti Zever, Musafire Akhirat ,*

*✿_ Nahlane ka Jo Tareeqa ouper bayaan hua Sunnat he lekin agar koi is tarah 3dafa na nahlaye balki sirf 1 dafa saare Badan ko dho daale tab bhi Farz ada ho jayega ,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Agar Mayyat ke ouper pani baras jaye ya aur kisi tarah poora Badan bheeg jaye to ye bheeg Jana Gusl ke qaayam makaam nahi ho sakta ,Use Gusl dena bahar haal Farz he ,*
*⇨Isliye k Mayyat ko Gusl dena zindo per Farz he aur mazkoora soorto se unka koi Amal nahi hua ,*
*⇨,Haa agar pani se nikaalte waqt Gusl ki niyat se usko pani me harkat de di jaye to Gusl ka Farz ada ho jayega ,*
*® Bahishti Zever,*

          *╂───────────╂*

*╠☞_ Mayyat ko Nehlane Ke Baad Khud Gusl karna,*

*✿_ Mayyat ko Gusl dene wale ko baad me khud bhi Gusl kar lena mustahab he,*
*®_ Shaami,*

*✿_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k,*
*"_ Jo shakhs Mayyat ko Gusl de to usko chahiye k Gusl kare, "*
*® _Ibne Maaja,*

*✿ _Aur doosri hadees me izaafa he k,*
*" _Jo Shakhs Mayyat ka janaza uthaye usko chahiye k Vazu kare, "*
*®_ Ma'arful Hadees,*

          *╂───────────╂*
         *╠☞_Kafan Ka Bayaan -*                  

*✿_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,*
*" _Tum log Safed kapde pehna karo ,Woh tumhare liye achchhe kapde he'n aur inhi Kapdo me apne Murdo ko Kafnaya karo ,"*
*®_ Sunan Abi Daowd, Sunan ibne Maaja, Jaamia Tirmizi,*

*✿_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,"_ Besh qeemat Kafan istemal na karo, kyuki wo ( kafan baharhaal ) jald hi khatm ho jata he,*
*(Fir besh qeemat Kafan ka Mayyat ko kya faayda? )""*
*®_ Sunan Abi Daowd, Ma'arful Hadees,*

*✿_ Jesa k Mayyat ko Gusl dena Farze Kifaaya he ,Kafan dena ,us per Namaze Janaza padhna aur Dafan karna bhi Farze Kifaya he,*

*✿_ Kafan ka Kapda bhi agar ghar me mojood ho aur Paak Saaf ho to uske istemal me koi harj nahi,*

*✿_ Kafan ka Kapda usi haisiyat ka hona chahiye jesa Murda aksar apni zindgi me istemal karta tha ,takallufaat fizool he,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Mard aur Aurat Dono ke liye sabse achchha Kafan safed kapde ka he aur Naya aur Purana yaksa he,*
*®_ imdadul fatawa, Durre Mukhtar,*

*✿_ Mard ke liye khaalis Reshami ya Zaafran ya Asfar se range hue kapde ka Kafan makrooh he ,Aurat ke liye jaa'iz he,*
*®_ Durre Mukhtar,*

*✿_ Apne liye pehle se Kafan tayyar rakhna makrooh nahi ,Qabr ka tayyar rakhna makrooh he,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Tabarruk ke tor per Aabe zamzam me tar kiya hua Kafan dene me koi mujaayqa nahi balki baaise barkat he,*
*®_Imdadul Fatawa,*

*✿ _Kafan me ya Qabr ke Andar Ahadnama ya kisi buzurg ka shajra ya Qurani Ayaat ya koi Dua rakhna durust nahi ,isi tarah Kafan per ya seene per kafoor se ya roshnaai se kalma vagera ya koi Dua likhna bhi durust nahi,*
*®_Bahishti Zever,*

*✿_ Kisi buzurg ka istemal kiya hua kapda ya gilaafe Kaaba ke niche ka Kapda ho to ye Kafan ke liye bager dhule naye kapde se bhi behtar he ,is Kapde ka agar Kurta ( Jo Mayyat ko Kafan me pehnaya jata he ) ho sake to kar de aur agar Chhota ho to kurte me si do,*
*®_Imdadul Fatawa- 1/488,*

*✿_ Kaaba Sharif ke gilaaf ke ouper ka Kapda jis per Kalma ya Qurani Ayaat likhi ho WO Kafan ya Qabr me rakhna durust nahi,*
*®_Imdadul Fatawa, Shaami ,*

*✿_ Gilaafe Kaaba agar khaalis resham ka ho to Mard ko usme Kafnana bahar haal na-jaa'iz he chahe us per kuchh likha ho ya na likha ho. Kyuki Mayyat ko ese Kapde me Kafan dena jaa'iz nahi José pehanna usko zindgi me jaa'iz na tha aur khaalis resham ka kapda Mardo ko pehanna jaa'iz nahi, Aurto'n ko jaa'iz he,*
*®_Durre Mukhtar,*

*✿_ Baaz jagah Rivaaj he k Nojawaan ladki ya Nayi Dulhan mar jati he to uske Janaza per surkh chadar ya zari gota ka dupatta vagera daal dete he ya na-jaa'iz he,*
*®_Durre Mukhtar, imdadul Fatawa ,*

*⇨ Kisi insaan ki Qabr khul jaye ya aur kisi vajah se uski laash Qabr se bahar nikal aaye aur us per Kafan na ho to usko bhi masnoon Kafan dena chahiye, basharte k laash fati na ho aur agar fat gayi ho to sirf kisi kapde me lapet dena kaafi he,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Mard Ka Kafan:-*
*⇛ Mard ke Kafan ke masnoon Kapde 3 he,*
*1- ijaar ............sar se paanv tak ,*
*2- Lifafa ( ise chadar bhi kehte he'n )............ijaar se lambaai me 4 girah zyada ,*
*3- Kurta bager Aasteen aur Bager Kali ka ....... gardan se paanv tak, ( ise Kameez ya Kafni bhi kehte he'n )*

*✿ _Aurat Ka Kafan:-*

*⇛Mard se 2 Kapde Zyada hote he'n, 1,2,3 Mard ki tarah hi hote he'n ,*

*4- Seena Band ........ bagal se raano tak ho to zyada achchha he varna naaf tak bhi durust he aur chodaai me itna ho k bandh jaye ,*
*5- Sar Band ( ise oadni bhi kehte he ) .......teen haath lambi,*

*✿_ Mard ko 3 aur Aurat ko 5 Kapde me kafnana masnoon he ,lekin agar Mard ko 2 Kapde ( ijaar aur lifaafa ) me aur Aurat ko 3 kapdo ( ijaar ,Lifafa aur Sar Band ) me kafna diya jaye to ye bhi durust he aur itna Kafan bhi kaafi he ,*
*⇛isse kam Kafan dena makrooh he ,Haa'n agar koi majburi aur lachaari ho to kam bhi durust he ,*
*®_ Bahishti Zever,

         *╠☞_Bachcho Ka Kafan 
                         
✿ Agar na-baalig ladka ya ladki mar jaye Jo abhi jawan bhi nahi hue the lekin Jawani ke qareeb pahunch gaye ho to ladke ke kafan me 3 Kapde aur ladki ke Kafan me 5 Kapde dena durust he ,
⇛Agar ladki ko 5 ki bajaye 3 aur ladke ko 3 ke bajaye 2 hi Kapde diye jaye tab bhi durust he ,

→garz ye k Jo hukm baalig Mard v Aurat ka he wahi hukm na-baalig ladke aur ladki ka he ,baalig Mard v Aurat ke liye WO hukm takeedi he aur na-baalig ke liye behtar he ,
®Shaami ,Bahishti Zever,

✿ Jo ladka ya ladki bahut kam Umari me faut ho jaye k Jawani ke qareeb bhi na hue ho to behtar ye he k ladko ko Mardo ki tarah 3 kapde aur ladki ko Aurto'n ki tarah 5 Kapde Kafan ke diye jaye ,

⇛Aur agar ladke ko sirf ek aur ladki ko sirf 2 Kapde Kafan me de diye jaye to bhi durust he aur Namaze Janaza aur Tadfeen hasbe dastoor ki jaye ,

®Bahishti Zever, Aalamgeer

✿ Jo Bachcha Zinda paida hua fir thodi der me hi mar gaya ya foran paida hone ke baad mar gaya to WO bhi isi qaayde se nehla diya jaye aur Kafana kar Namaze Janaza padhi jaye fir Dafan kar diya jaye aur uska naam bhi kuchh rakha jaye ,
®Bahishti Zever,

✿ Jo Bachcha Maa'n ke Pet se Mara hua paida hua aur paida hote waqt zindgi ki koi alamat nahi payi gayi, Usko bhi usi tarah nehlao lekin qaayde ke muwafik Kafan na do sirf ek Kapde me lapet kar dafan kar do,
⇛Aur Namaze janaza bhi nahi padhi jayegi, albatta naam uska bhi kuchh na kuchh rakh Dena chahiye,
® Bahishti Zever,

✿ Agar Hamal gir jaye to agar Bachche ke haath -paanv -moonh -naak vagera uzv kuchh na bane ho to na nehlao aur na Kafanaye, kuchh na kare balki kisi Kapde me lapet kar ek Gadda khod kar gaad do,

⇛Aur agar us Bachche ke kuchh uzv ban gaye to uska wahi hukm he Jo Murda Bachcha paida hone ka he yani naam rakha jaye, aur nehla diya jaye lekin qaayde ke muwafik Kafan na diya jaye, na namaz padhi jaye balki ek Kapde Me lapet kar Dafan kar diya jaye,
® Bahishti Zever

✿ Wiladat ke waqt Bachche ka keval sar nikla, us waqt wo zinda tha fir mar gaya to iska wahi hukm he Jo Murda Bachche paida hone ka hukm he,

⇨albatta agar zyada hissa nikal aaya uske baad mara to esa samjhenge k wo zinda paida hua,

⇛ Aur agar Sar ki taraf se paida hua to seena tak nikalne se samjhenge k zyada hissa nikal aaya aur agar Ulta paida hua to Naaf tak nikalna chahiye,
® Bahishti Zever. Ba- Hawala Durre Mukhtaar,
          *╂───────────╂*

*╠☞ Kafan Ki Pemaish aur Tayyar Karne ka Tareeqa,*

*✿ _Kafan ki pemaish aur uski tayyari ka tareeqa Mard ke liye ye he k Mayyat ke Qad ke barabar ek lakdi ( ya Feeta ) lo aur usme ek nishan lagalo ,aur ek dhaga seene ke muqabil rakh kar jism ki golaai me nikaalo k dono sire us dhaage ke dono taraf ki pasliyo per pahunch jaye aur isko tod kar apne paas rakh lo,*

*✿_ Fir ek kapda lo kiska arz us dhage ke barabar ( ya naap ke barabar) ya qareeb barabar ho ,agar arz is qadar na ho to usme jod laga kar poora kar lo, Aur us poori lakdi ( ya feeta se Jo Qad ka naap liya ) ke barabar lambi ek chaadar faad lo ,isko izaar kehte he,*

*✿_ is tarah doosri chaadar faad lo ,Jo arz me to is qadar ho albatta tol me izaar se chaar guna zyada ho isko lifaafa kehte he,*

*✿_ Fir ek kapda lo jiska arz ba- qadr chodaai jism Mard ke ho aur lakdi ( ya feeta ) ke nishan se Aakhir tak jis qadar tol he uska dugna faad lo aur dono sire kapde ke milaakar beech me se chaak khol lo k sar ki taraf se gale me aa jaye, isko Qameez ya Kafni kehte he,*

*✿_ Aurat ke liye Mardo ke sab Kapde to wahi he aur unhe tayyar karne ka tareeqa bhi wahi he Jo ouper Bataan hua ,iske alawa Aurto'n ke liye 2 kapde aur he'n,*
*1- Seena Band ,2- Sar Band jise odni kehte he,*
*"_ Seena Band zere bagal se raano tak aur dhaaga mazkoor ke ba-qadr choda, Sar Band nisf izaar se teen girah zyada lamba aur 12 girah choda ,*

          *╂───────────╂*
    *☞_Kafan-- Zaa'id ( Extra ) Kapde :-*

*✿_ Baaz kapde logo ne Kafan ke saath zaruri samajh rakhe he'n, halanki WO kafan e masnoon se khaarij he'n isliye Mayyat ke tarke me se Jo k sab waariso me mushtarik he aur mumkin he k in me baaz na-baalig bhi ho ya baaz yaha haazir na ho, un kapdo ka kharidna unke maal me na-jaa'iz tasarruf karna he ,*
*⇛ Avval to in cheezo ki haajat nahi balki inki pabandi bid'at he ,albatta Aurto'n ke janaze per ( gahware ki ) chaadar Parde ke liye zaruri he ,*

*★• WO Jaa'id ( Extra ) kapde ye he'n:--*

*✿_ 1- JaayNamaz ::--- Ye mahaz ek Rasm he ,Namaze Janaza me muqtadiyo ko chataai ya Farsh ki zarurat nahi isi tarah Imaam ko JaayNamaz ki haajat nahi,*

*✿_ 2- Patka --Ye Murda ko Qabr me utaarne ke liye hota he,*

*✿_ 3- Bichhona :-- Ye charpai per bichhane ke liye hota he,*

*✿ _4- Daamani :-- Ba qadre istetaat 4 se 7 tak mohtajo ko dete he'n ,Jo mahaz Aurto'n ke liye makhsoos he,*

*✿_ 5- Chaadar Kala'n ---Jo Gahware per daali jati he ,magar ye Kafan se kharij he ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Mard Ko Kafnane Ka Tareeqa,*
                
*✿_ Jab Mayyat ko Gusl de chuke to Chaar Paai bichha kar Kafan ko 3 dafa ya 5 dafa ya 7 dafa lobaan vagera ki dhooni do,*

*✿_ Fir Kafan ko chaar paai par bichha kar Mayyat ko is per Lita do aur Naak, Kaan ,Moonh se rooi Jo Gusl ke waqt rakhi gayi thi nikaal daalo,*

*✿_ Mard ko Kafnane ka Tareeqa ye he k pehle Lifafa bichha kar us per izaar bichha do fir Kurta ( Kameez ) ka nichla nisf hissa bichha do ,aur ouper ka baqi hissa samet kar sarhane ki taraf rakh do,*
*⇛Fir Mayyat ko Aahista se utha kar us bichhe hue Kafan per Lita do aur Kameez ka Jo nisf hissa sarhane ki taraf rakha tha, usko sarhane ki taraf ulat do k Kameez ka suraakh ( girebaan ) gale me aa jaye ,aur payro ki taraf bada do,*
*⇛ Jab is tarah Kameez pehna chuko to Gusl ke baad Jo Tehband Mayyat ke Badan per daala gaya tha WO nikaal do ,aur uske sar aur Daadi per itr vagera koi khushbu laga do, fir dono ghutno, peshani ,naak ,hatheli ,paanv per ( jin Aaza per Aadmi Sajda karta he ) kafoor mal do ,*
*⇛ Yaad rahe Mard ko Zaafraan nahi lagani chahiye,*

*✿_ iske baad izaar ka baaya palla ( kinara ) Mayyat ke ouper lapet do, Yani baaya palla niche rahe aur daaya ouper ,*

*✿_ Fir Lifafa is tarah lapet do k baaya palla niche aur daaya palla ouper rahe Fir Kapde ki katran lekar Kafan ko sar aur paanv ki taraf se baandh do ,aur bich me se Kamar ke niche ko bhi ek katran se baandh do ,taki hawa se ya hilne julne se khul na jaye,*

*® _Shaami,Bahishti Zever, Musafire Akhirat,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Aurat ko Kafnane ka Tareeqa 

*✿_ Aurat ke liye pehle lifafa bichha kar is per seena band aur us per izaar bichhao fir qameez ka nichla nisf hissa bichhao aur ouper ka baqi ka hissa samet kar sirhane ki taraf rakh do,*

*⇛Fir Mayyat ko Gusl ke Takhte se Aahista se uthakar us bichhe hue Kafan per Lita do aur qameez ka Jo nisf hissa sirhane ki taraf rakha tha usko sar ki taraf ulat do k qameez ka suraakh ( girebaan ) gale me aa jaye aur pero ko taraf bada do,*

*✿_ Jab is tarah qameez pehna chuko to Jo Tahband Gusl ke baad Aurat ke Badan per daala gaya tha WO nikaal do ,aur uske sar per kafoor itr vagera koi khushbu laga do ,Aurat ko zaafraan bhi laga sakte he'n,*

*✿_ Fir peshani ,Naak aur dono hatheliyo aur dono ghutno aur dono paanvo per kafoor mal do,*

*✿_ Fir sar ke Baalo ko di hisse karke qameez ke ouper seena per daal do, ek hissa dahini taraf aur doosra hissa baayi taraf ,fir sarband , yani odni sar per aur baalo per daal do ,unko baandhna ya lapetna nahi chahiye,*

*✿_ iske baad Mayyat ke ouper izaar is tarah lapeto k baaya palla ( kinara ) niche aur daaya palla ( kinara ) ouper rahe ,Sar band uske Andar aa jayega ,iske baad seena band iske Andar aa jayega ,iske baad seena band seene ke ouper baglo se nikaal kar ghutno tak daayi baaye baandh do,*

*⇛Fir Lifafa is tarah lapeto k baaya palla niche aur daaya palla ouper rahe ,iske baad katran se Kafan ko sar aur paanv ki taraf se baandh do ,aur beech me Kamar ke niche ko bhi ek badi katran se baandh do taki hilne julne se khul na jaye,*

*📓_ Bahishti Zever, Musafire Akhirat,*

*✿_ Baaz log Kafan per bhi itr lagate he , aur itr ki fureri Mayyat ke kaan me rakh dete he'n ,ye sab Jahalat he ,Jitna Shariyat me aaya he usse zyada mat karo,*
*®_Bahishti Zever,,*

*✿_ Janaze ke ouper Jo chaadar daal dete he ye Kafan me daakhil nahi he aur Mard ke liye zaruri bhi nahi ,lekin agar koi shakhs apni chaadar us per daal de aur Qabr per jaakar apni chaadar utaar le to isme bhi koi harj nahi,*
*®_ Musafire Akhirat,*

*✿_ Albatta Aurat ke Janaza per chaadar daalna parde ke liye zaruri he ,magar Kafan me ye bhi daakhil nahi, Chunache iska humrang Kafan hona zaruri nahi ,Parde ke liye koi sa kapda ho kaafi he, balki koi shakhs apni chaadar us per daal de aur Qabr per jaakar utaar le to bhi kaafi he ,*
*®_ Musafire Akhirat, Bahishti Zever,*

*✿_ Agar Gahwara mojood ho to Aurat ke janaze per WO rakh kar chaadar daal di jaye ,varna Baans ki tiliya'n ya darakht ki hari shaakh rakh kar us per chaadar daal de taki parda rahe,*
*®_ Musafire Akhirat,*

*✿_ Mazkura bala tareeqe se janaza tayyar karke us Akhirat ke musafir ko Namaze Janaza ke liye Sabr v tahammul ke saath rukhsat karo ,*
*⇛Kisi ko moonh dikhlana ho to dikha do ,is moqe per baaz Aurte'n buland awaaz se rone aur been karne lagti he ,ya Janaza ke saath ghar se bahar nikal aati he aur parde se bhi gaafil ho jati he ,in sab baato se khud bachna aur doosro ko bachana zaruri he ,varna Sabr ka azeemushan sawaab jata rahega aur Akhirat ka vabaal bhi sar padega ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Tajheez v Takfeen se Bacha hua Samaan:-*

*✿_ Gusl aur Kafan Dafan ke samaan me se agar kuchh kapda vagera Bach jaye to WO yunhi kisi ko dena ya zaay kar dena jaa'iz nahi, balki isme ye tafseel he k agar WO Mayyat ke Tarke se liya gaya tha tab to use Tarka hi me rakhna waajib he ,Taki Shariyat ke mutabiq Tarka ki taqseem me WO bacha hua samaan bhi shamil ho jaye,*
*⇛Aur agar kisi aur Shakhs ne apni taraf se diya tha to bacha hua samaan usi ko wapas kar diya jaye,*
*®_ Aalamgeeriya,*

*✿_ Agar kisi Lawaris Faqeer ki Tajheez v Takfeen ke liye logo se chanda liya gaya tha to Jo samaan ya Raqam bache WO Chanda dene walo ko waapas kiya jaye,*
*⇛Agar chanda dene wale ya unka pata maloom na ho sake to kisi aur Lawaris faqeer ki Tajheez v Takfeen me kharch kar diya jaye ,Varna Fuqra Masakeen ko sadqa me de diya jaye,*
*®_ Durre Mukhtar, Shaami ,*
          *╂───────────╂*
*╠☞_Janaza Uthane ka Bayan:-*                         
*✿_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Jo Aadmi imaan ki Sift ke saath aur Sawaab ki niyat se kisi musalman ke janaze ke saath jaye aur us waqt tak Janaza ke saath rahe jab tak k us per Namaz padhi jaye aur uske Dafan se faragat ho to WO sawaab ke do qeeraat lekar wapas hoga, Jinme se har qeeraat uhad pahaad ke barabar hoga ,*
*"_Aur Jo Aadmi Namaze Janaza padh kar waapsa aa jaye Dafan hone tak saath na de to WO sawaab ka (esa hi) ek qeeraat lekar waapas hoga,*
*®_ Ma'rful Hadees ,Sahi Bukhari v Muslim,*

*✿_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Janaze ko tez le jaya karo ,agar WO nek he to (Qabr uske liye) khair he ,(yani achchhi manzil he) Jaha'n tum (tez chalke) use jald pahuncha doge,*
*"_Aur agar uske Siva doosri soorat he ( yani Janaza nek ka nahi he ) to ek bura bojh ( tmhare kandho per) he ( tum tez chalke jaldi ) usko apne kandho se utaar doge ,"*
*®_ Sahi Bukhari v Muslim, Ma'arful Hadees,*

*✿_ Hadees me he k Jo shakhs (Janaze ki) chaar paayi Charo taraf se uthaye (yani Charo taraf se Kandha de) to uske 40 kabeera gunaaho (yani Sagaa'ir me Jo bade sagaa'ir he'n) bakhsh diye jayenge,*
*®_Bahishti Zever ba hawala ibne asakir,*

*✿_ Mayyat agar padosi ya Rishtedar ya koi nek parhezgaar shakhs ho to uske janaze ke saath Jana nifl Namaz padhne se Afzal he ,*
*"_ Zarurat pesh aa jaye to Janaza ujrat dekar bhi uthwaya ja sakta he,*
*®_ Aalamgiri ,*

*✿_ Aurto'n ka Janaze ke saath Jana makrooh tehrimi he,*
*®_ Bahishti Gohar,*
          *╂───────────╂*
*╠☞_Janaza Le Jane Ka Masnoon Tareeqa,-*                         

*✿_ Agar Mayyat SherKhwar Bachche ya usse kuchh bada ho to logo ko chahiye k use Dast ba Dast le jaye ,yani ek Aadmi usko apne dono haatho per uthaye, fir usse doosra Aadmi le le ,isi tarah badalte hue le jaye,*
*®_Bahishti Gohar,*

*✿_ Aur agar Mayyat Badi ( Mard ya Aurat ) ho to usko kisi chaar paayi ( ya Gahwara me ) vagera per Lita kar le jaye ,Sarhana aage rakhe ,aur uske Charo paayo ko ek ek Aadmi uthaye ,Mayyat ki chaar paayi haatho se uthakar kandho per rakhna chahiye,*
*⇛Haatho se uthaye bager maal v asbaab ki tarah gardan per laadna makrooh he ,peeth per laadna bhi makrooh he, isi tarah bila uzr iska kisi jaanwar ya gaadi vagera per rakh kar le Jana bhi makrooh he ,aur uzr ho to bila karahat jaa'iz he, Maslan Qabristan bahut door ho,*
*®_ Bahishti Gohar ma'a hashiya,*

*✿ _Janaze ko do patiyo ( lakdiyo'n ) ke darmiyan is tarah uthana bhi makrooh he k do Do Aadmiyo'n ne utha rakha ho, ek ne aage se doosre ne pichhe se ,Jese bhari samaan kheencha jata he ,*
*⇛Haa ,majburi me muzayqa nahi ,Maslan raasta itna tang ho k char Aadmi sunnat ke mutabiq utha kar na guzar sake ,*
*®_ Aalamgiri ,*

*✿_ Janaza ko uthane ka mustahab Tareeqa ye he k pehle Mayyat ke daahini taraf ka agla paya apne Daahine kande per rakh kar kam se kam 10 qadam chale ,uske baad usi taraf ka pichhla paya apne Daahine kandhe per rakh kar kam se kam 10 qadam chale,*
*⇛iske baad Mayyat ke Baayi taraf ka agla paya apne baaye kandhe per rakh kar ,fir pichhla paya apne kandhe per rakh kar kam se kam 10-10 qadam chale ,taki Charo payo ko mila kar 40 qadam ho jaye ,Hadees Sharif me Janaza ko kam se kam 40 qadam tak kandha dene ki badi fazilat he,*
*®_Bahishti Gohar, Durre Mukhtar, Shaami 

*✿_ Janaze ko tez qadam le Jana masnoon he, magar na itni tez k Mayyat ko harkat v iztraab hone lage, ( Bahishti Gohar)*

*✿ _Janaze ke hamraah Pyada pa ( Paidal ) chalna mustahab he aur agar kisi sawaari per ho to Janaza ke pichhe chale, (Bahishti Gohar)*

*✿_ Jo log Janaza ke hamraah ho unko janaze ke pichhe chalna mustahab he ,agarche Janaza ke aage chalna bhi jaa'iz he ,Haa'n ! Agar Janaza se aage bahut door chala jaye ya sab log janaze ke aage ho jaye to makrooh he,*
*⇛isi tarah Janaza ke aage ki sawaari per chalna bhi makrooh he,( Bahishti Gohar)*

*✿_ Jo log Janaza ke saath ho unhe Janaza ke Daaye ya Baaye nahi chalna chahiye, (Aalamgiri )*

*✿ _Janaza ke hamraah Jo log ho unko koi zikr ya Dua buland awaaz se padhna makrooh he, ( Bahishti Gohar )*

*✿_ Jo log Janaza ke saath na ho balki kahi Bethe ho ,aur unka iraada Janaza ke saath Jane ka bhi na ho ,unko Janaza dekh kar khada nahi hona chahiye, (Bahishti Gohar)*

*✿_ Jo log Janaza ke hamraah jaye unko isse pehle , k Janaza shaano se utaara jaye ,bethna makrooh he, Haa'n ! Koi zarurat bethne ki pesh aaye to muzayqa nahi,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Jo shakhs Janaza ke saath ho use bager Namaz padhe wapas nahi aana chahiye, albatta Namaz padh kar Mayyat walo se ijazat lekar aa sakta he ,aur Dafan ke baad ijazat ki zarurat nahi,*
*®_ Aalamgiri,*

*✿_ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Janaza ke saath paidal tashreef le jate the,*
*®_ Tirmizi ,*

*✿_ Aur jab tak Janaza kandho se utaara na jata, na beth te ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k Jab tum Janaza me aao to jab tak use na rakh diya jaye mat betho,*
*⇛Aur ek Rivayat me he k Jab tak lahad ( Qabr ) me na rakh diya jaye na betho,*
*®_Madarij Annabuwah,*

*✿_ Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam Janaza ke saath jate to paidal chalte aur farmate k, Mainy sawaar nahi hota jabki Farishte paidal ja rahe ho'n,*
*⇛Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ( Dafan se ) faarig ho jate to kabhi paidal wapas hote, kabhi sawaar hokar,*
*®_ Zaadul Ma'aad,*

*✿_ Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam jab Janaza ke saath chalte to khamosh rehte aur apne Dil me Maut ke muta'alliq Guftgu farmate,*
*®_ Ibne Sa'ad ,*
          *╂───────────╂*
*╠☞_ Namaze Janaza Ka Bayan ,*                        
*✿_ Mayyat per Namaze Janaza padhna bhi Farze Kifaya he ,yani agar kisi ne bhi us per Namaz na padhi to jin jin logo ko maloom tha Wo sab gunahgaar honge,*
*⇛Aur agar sirf ek shakhs ne bhi Namaz padh li to Farze Kifaya ada ho jayega ,kyuki jama'at Namaze Janaza ke liye shart ya waajib nahi,( tafseel aage aayegi in sha Allah)*
*®_ Shaami,*

*✿_ Agar Juma ke din kisi shakhs ka inteqal ho gaya to agar Juma ki Namaz se pehle Kafan ,Namaz aur Dafan vagera ho sake to zaroor kar le ,is khayal se Janaza roke rakhna k Juma ki Namaz me majma zyada hoga makrooh he,*
*®_ Shaami ,Bahishti Gohar,*

*✿_ Agar Janaza us waqt aaya jabki Farz Namaz ki Jama'at (Juma ya gair Juma) tayyar ho to pehle Farz ,Sunnate padh le ,fir Janaza ki Namaz padhe,*
*®_ Durre Mukhtar, Shaami,*

*✿_ Agar Namaze Eid ke waqt Janaza aaya to pehle Eid ki Namaz padhe, fir Eid ka khutba padha jaye ,uske baad Janaza ki Namaz padhe,*
*®_ imdadul Fatawa- 1/505,*

*✿_ Marne wale shakhs ne wasiyat ki k meri Namaze Janaza fala Shakhs padhaye to moatbar nahi aur Shar'an us per Amal karna zaroori nahi,*
*⇛ Namaze Janaza padhane ka jin logo ko haq diya he ,unhi ko imaam banana chahiye, albatta agar wahi kisi aur ko imaam banana chahe to muzayqa nahi,*
*®_ Maraqil Falah ,324*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Namaze Janaza Ka Waqt:-*

*✿_ Jis tarah panj waqta Namaz o ke liye waqt muqarrar he ,Namaze Janaza ke liye us tarah ka koi khaas waqt zaroori ya Shart nahi,*
*®_ Shaami, Bahishti Gohar,*

*✿_ Namaze Fajar ke baad tulu Aaftaab se pehle aur Namaze Asr ke baad Aaftaab zard hone se pehle nifl aur Sunnate padhna to mamnoo he, magar Namaz e Janaza in avqaat me bhi bila karahat durust he,*
*®_ Aalamgiri, Shaami, Imdadul Fatawa,*

*✿ _Aaftaab ke tulu ,zawal ( theek dopahar ) aur guroob ke waqt doosri namazo ki tarah Namaze Janaza bhi jaa'iz nahi,*
*⇛Tulu ka waqt Aaftaab ka ouper ka kinara zaahir hone se shuru hokar us waqt tak rehta he jab tak k Aaftaab poora nikal kar ouncha na ho jaye,*
*⇛Yani nazar jab tak us per jam sakti ho ,aur guroob ka waqt Aaftaab ka rang zard pad Jane se shuru hota he ,yani jab se k us per jamne lage aur us waqt tak rehta he jab tak k Aaftaab poora gayab na ho jaye,*
*®_Shaami ,1/341,344, Aalamgiri, 1/52, Bahishti Zever,"*

*✿_ Namaze Janaza mazkura baala ( Jo ouper bayan hui ) teen avqaat me padhna is soorat me na-jaa'iz he jabki Janaza in avqaat se pehle aa chuka ho ,aur agar Janaza khaas tulu ,zawal ya guroob hi ke waqt aaya to us per Namaze Janaza us waqt bhi jaa'iz he,*
*®_ Aalamgiri, Durre Mukhtar, Shaami ,*

*✿_ Khulasa ye he k Namaze Janaza in teen avqaat ( tulu, zawal, guroob) ke alawa har waqt bila karahat jaa'iz he, aur in teen avqaat me bhi us soorat me jaa'iz he jabki Janaza khaas inhi avqaat me aaya ho ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Joote Pehan kar Namaze Janaza padhna*

*✿_ Aaj kal baaz log Janaza ki Namaz joote pehne hue padhte he’n, unke liye zaruri he k wo jis jagah khade ho Wo jagah aur Joote dono paak ho ,varna unki Namaz nahi hogi,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Aur agar joota payr se nikaal diya jaye aur us per khade ho to sirf Joote ke ouper ka hissa Jo payr se mila ho uska paak hona zaruri he ,agarche talaa napaak ho ,neez is soorat me Wo zameen bhi napaak ho to koi harj nahi,*
*®_ Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Wo Sharte’n Jinka Mayyat me Paya Jana Zaruri he :*

*✿_ Doosri Qism ki Wo Sharte’n he’n jinka Mayyat se ta’alluq he ,Wo 6 he’n ,*

*✧⇝1- Mayyat ka musalman hona:- Gair aur Murtad per Namaz sahi nahi, Musalman agarche Fasikq aur Bid’ati ho us per Namaz sahi he ,sivaye un Logo'n ke Jo Musalman haakim E Barhaq se bagawat karte hue ya Daka zani karte hue ya qabaili, watani, soobai ya lisaani tassub ke liye ladte hue maare jaye'n, un Logo'n per Namaze Janaza nahi padhi jayegi, aur Agar ladaayi ke baad Qatl kiye gaye ya ladaayi ke baad apni maut mar jaye to fir unki Namaz padhi jayegi,*
*®_ Bahishti Gohar, Durre Mukhtar, Shaami ,*

*✿_ isi tarah jis shakhs ne apne Baap ya Maa’n ko Qatl kiya ho aur uski saza me Wo maara jaye to uski Namaz bhi nahi padhi jayegi,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Jis shakhs ne khudkushi ki ho sahi ye he k usko Gusl diya jayega aur us per Namaze Janaza bhi padhi jayegi ,*
*®_Bahishti Gohar,*

*✿ _Mayyat se muraaad. Wo shakhs he Jo zinda paida hokar mar gaya ho, ya batane maadar se uske jism ka aksar hissa ba-haalate zindgi baahar aaya ho ,Aur agar Mara hua paida hua ya Aksar hissa nikalne se pehle mar jaye to uski Namaz durust nahi ,*
*®_ Bahishti Gohar, Bahishti Zever,*

*✧⇝Mayyat ke Badan aur Kafan ka najsate Haqeeqiya se Paak hona, Haa’n agar najasate haqqeeqiya usi ke Badan se Kafnane ke baad khaarij hui ho aur is Sabab se uska Badan ya Kafan bilkul najis ho jaye to koi muzayqa nahi, Namaz durust he ,Dhone ki zarurat nahi,*
*®_ Bahishti Gohar v Shami*

*✿_ Agar koi Mayyat najasate haqeeqiya se taahir na ho yani usko Gusl na diya gaya ho aur dar soorat na mumkin hone Gusl ke tayammum bhi na karaya gaya ho ,us per Namaz durust nahi,*
*⇛Haa’n agar uska Taahir hona mumkin na ho Maslan be Gusl ya tayammum karaye hue Dafan kar chuke ho aur Qabr per mitti bhi pad chuki ho ,magar naash fati na ho to fir uski Namaz uski Qabr per usi haalat me padhi jayegi ,*

*⇛Agar kisi Mayyat be Gusl ya tayammum ke Namaz padhi gayi ho aur Wo Dafan kar diya gaya ho aur baad Dafan ke maloom hua k usko Gusl na diya gaya tha ,to jab tak naash fati na ho uski Namaz dobara uski Qabr per padhi jaye ,isliye k pehli Namaz sahi nahi hui, Haa’n ab chunki Gusl mumkin nahi he lihaza Namaz ho jayegi,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Agar koi Musalman be Namaze Janaza padhe hue Dafan kar diya gaya ho to uski Namaz uski Qabr per padhi jayegi, jab tak k uski naash ke fat Jane ka andesha na ho ,*
*⇛Jab khayal ho k ab naash fat gayi hogi to fir Namaz na padhi jaye aur naash fatne ki muddat har jagah ke aitbaar se mukhtalif he uski tayin nahi ho sakti ,yahi zyada sahi he, baaz ne 3 din aur baaz ne 7 din aur baaz ne ek maah ki muddat bayan ki he ,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Mayyat agar kisi paak palang ya takht ya kisi paak gadde ya lihaaf per rakhi ho to us palang vagera ki jagah ka paak hona shart nahi ,esi soorat me bila shak v shubh Namaze Janaza durust he,*
*⇛Aur agar Palang ya takht vagera bhi napaak ho ya Mayyat ko bager takht aur palang ke napaak zameen par rakh diya he to esi soorat me Mayyat ki jagah ka paak hone ke shart hone na hone me ikhtilaf he ,baaz ke nazdeek shart he, lihaza napaak takht ya napaak zameen per rakhne ki soorat me Namaze Janaza durust nahi hogi ,aur baaz ke nazdeek shart nahi lihaza Namaz sahi ho jayegi,*
*®_ Bahishti Gohar,* 

*✿_ 3- Teesri Shart⇛ Mayyat ke jism wajibul satar ( yani badan ka Wo hissa jiska chhipana waajib aur zaruri he ) ka poshida hona ,agar mayyat barhana ho to us per Namaze Janaza durust nahi,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ 4- Chothi Shart⇛ Mayyat ka Namaz padhne walo ke aage hona, agar Mayyat Namaz padhne walo ke pichhe ho to Namaz durust nahi,*

*✿ 5- Paanchvi Shart:⇛ Mayyat ka ya jis cheez per Mayyat ho uska zameen per rakha hua hona, agar Mayyat ko log apne haatho per uthaye hue ho ya kisi gaadi ya jaanwar per ho aur usi haalat me uski Namaz padhi jaye to uzr ke bager sahi nahi hogi,*
*®_ Bahishti Gohar v Shaami, 1/813*

*✿_ 6- Chhati Shart ⇛ Mayyat ka waha mojood hona ,agar Mayyat waha mojood na ho to Namaz sahi na hogi,*

          *╂───────────╂*
*╠☞ Namaze Janaza ke Fara'iz ,*

*✿_ Namaze Janaza me 2 cheeze Farz Hai'n:-*
*"_ 1- Chaar martaba Allahu Akbar kehna ,har takbeer Yaha'n qaayam muqaam ek Raka’at ke samjhi jati he ,*
*⇛yani Jese doosri Namazo me Raka’at zaroori he wese hi Namaze Janaza me har Takbeer zaroori he,*

*✿_ Agar imaam Janaza ki Namaz me 4 takbeer se Zaa’id kahe to Hanafi Muqtadiyo ko chahiye k un zaa’id takbiraat me uska itteba na kare ,balki sukoot kiye hue khade rahe, Jab imaam salam fere to khud bhi salam fer de ,*
*⇛Haa’n agar Zaa’id Takbeere imaam se na suni jaye balki mukabbir se, to Muqtadiyo ko chahiye k itteba kare aur har Takbeer ko Takbeere Tehrima Samjhe, Ye khayal kare k Shayad isse pehle Jo 4 Takbeere Mukabbir naqal kar chuka he WO galat ho ,Imaam ne ab Takbeere Tehrima kahi ho,*
*®_Durre Mukhtar, Shaami ,*

*✿_ 2- Qayaam, yani khade hokar Namaze Janaza padhna ,Jis tArah Farz, Waajib Namazo me qayaam Farz he aur be uzr iska tark Jaa’iz nahi, usi tarah Namaze Janaza bhi bila uzr beth kar padhne se adaa nahi hoti,*
*®_ Bahishti Gohar ,*

*✿_ Azaan v Aqaamat aur Qiraat, Ruku, Sajda, Qaa’adah vagera is Namaz me nahi ,*
*®_ Bahishti Gohar ,*
*
          *╂───────────╂*
*╠☞_Namaze Janaza me 3 cheeze Masnoon he,’n,*

*✿_ 1- Allaah Ta’ala ki Hamd Karna,*
*✿_ 2- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam per Darood Padhna ,*
*✿ 3- Aur Mayyat ke liye Dua Karna ,*

*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_Jama’at is Namaz me Shart nahi ,pas agar ek shakhs bhi Janaza ki Namaz padh le to Farz ada ho jayega ,chahe Wo Namaz padhne wala Aurat ho ya Mard ,Baalig ho ya Na-baalig, aur agar kisi ne bhi na padhi to sab gunahgar honge,*

*®_Bahishti Gohar, Shaami,*

*✿_ Lekin Namaze Janaza ki jama’at me jitne zyada log ho utna hi behtar he ,isliye k ye Dua he ( Namaze Janaza) Mayyat ke liye, aur chand Musalmano ka Jama hokar Baargahe ilaahi me kisi cheez ke liye Dua karna ek Ajeeb khasiyat rakhta he nuzoole Rehmat aur qubooliyat ke liye,*
*⇛ lekin Namaze Janaza me is garz se takheer karna k jama’at zyada ho jaye makrooh he,*

*®_ Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*☞_ Namaze Janaza ka Tareeqa:-*
                         
*✿_ Namaze Janaza ka mustahab aur Masnoon Tareeqa ye he k Mayyat ko Aage rakh kar imaam uske seene ke muhazi khada ho jaye ,aur sab log ye Niyat kare ,-*
*⇛"Mene iraada kiya k Namaze Janaza padhu Jo Allah Ta'ala ki Namaz he aur Mayyat ke liye Dua he",*

*✿_ Ye niyat karke Dono haath misl takbeere Tehrima ke kaano tak uthaakar ek martaba. ''Allahu Akbar" keh kar dono haath misl( jis tarah Namaz me baandhte he'n ) Namaz ke baandh le, Fir Sana ( Subhanaka allahumma ) Akheer tak padhe uske baad fir ek baar " Allahu Akbar ". Kahe magar is baar haath na uthaaye ,*
*⇛Baad iske Darood Sharif padhe ,aur behtar yahi he k wahi Darood Sharif (Darood e Ibrahim ) padha jaye Jo Namaz me padha jata he,*

*✿_ Fir ek martaba "Allahu Akbar". Kahe aur is martaba bhi haath na uthaaye ,is takbeer ke baad Mayyat ke liye Dua Kare, (Baalig mard- Aurat, Na-baalig ladka ladki ki alag alag Duae'n he'n) Jo Duae'n Hadees me aayi he'n unko hi padhe jinko hamare fuqha ne bhi naqal kiya he, Jis Dua ko Chahe padhe,*

*✿ _Jab Dua padh chuke to fir ek Martaba "Allahu Akbar" kahe aur is baar bhi haath na uthaaye ,aur is Takbeer ke baad haath chhod kar salaam fer de, jis tarah Namaz me salaam ferte he, is Namaz me Attahiyaat aur Qiraat nahi he,*
*®_ Bahishti Gohar,,*

*✿ _Agar kisi ko Namaze Janaza ki Dua yaad na ho to sirf "Allahummagfir lil mu'amineena wal mu'aminaati," Padh le agar ye bhi yaad na ho sake to sirf 4 takbeere keh dene se bhi Namaz ho jayegi (Chahe aur kuchh bhi na padhe)*
*⇛isliye ki Darood Sharif aur Dua Farz nahi he Masnoon he,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿ _Namaze Janaza ke baad wahi'n haath uthaakar Dua maangna Makrooh he ,Sunnat se saabit nahi he ,Kyuki Namaze Janaza khud Dua he,*
*✿_ Namaze Janaza imaam aur Muqtadi dono ke haq me yaksa he sirf itna farq he k imaam Takbeere aur Salaam Buland awaaz se kahega aur Muqtadi Aahista awaaz se, baqi cheeze Sana aur Darood aur Dua Muqtadi bhi Aahista awaaz se padhenge ,aur imaam bhi Aahista awaaz se padhega,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Janaza ki Namaz me mustahab he k haazireen ki 3 safe kar di jaye ,yaha tak k agar sirf 7 Aadmi ho to ek Aadmi unme se imaam bana diya jaye aur pehli saf me 3 Aadmi ho aur Doosri Saf me 2 aur Teesri saf me ek Aadmi ho,*
*®_ Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Wo cheeze Jinse Namaze Janaza Faasid ho jati he:-*
                         
*✿ _Janaza ki Namaz bhi un cheezo se Faasid ho jati he jin cheezo se doosri Namazo me fasaad aata he ,*

*⇛ Sirf itna farq he k Janaza ki Namaz me Qahqaha ( Awaaz se hansna ) se Vazu nahi jaata aur Aurat ki muhazaat se bhi isme fasaad nahi aata,*

*®_ Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Masjid aur Wo maqamaat jinme Namaze Janaza makrooh he ,*

*✿_ Janaza ki Namaz us Masjid me padhna makrooh tehrimi he Jo panj waqta Namazo ya Juma ya Eiden ki Namaz ke liye banayi gayi ho, chahe Janaza Masjid ke Andar ho ya Masjid se bahar ho aur Namaz padhne wale Andar ho ,*
*⇛Haa’n Jo khaas Janaza ki Namaz ke liye banayi gayi usme makrooh nahi,*
*®_Bahishti Gohar,*

*👉🏽 Hashiya —- Aur agar ye Soorat ho k Janaza aur imaam ma’a kuchh Muqtadiyo ke Masjid se bahar ho aur Baqi Muqtadi Andar ho to is soorat ko bhi Allaama Shaami aur Sahibe Durre Mukhtar ne makrooh qaraar diya he ,lekin imdaadul mufteen me Fatawa bazaziya ke hawale se ise jaa’iz likha he ,lihaza ahatyaat bahar haal isme he k bila uzr is soorat se bhi ijtnaab kiya jaye,*
*®_ Rafee’a ,*

*✿_ Agar Masjid ke bahar koi jagah na ho to majboori me Masjid me padhna makrooh nahi,*
*®_ imdadul Fatawa, 1/534*

*👉🏽 Harmen Sharifen me isi Uzr ki bina per Masjid me Namaze Janaza padhi jati he ,*

*✿_ Aam Raaste per Namaze Janaza padhna k jisse guzarne walo ko takleef ho makrooh he,*
*®_Shaami ,1./ 827*

*✿_ Kisi doosre ki zameen per uski ijazat ke bager Namaze Janaza padhna makrooh he ,*
*👉🏽 Mayyat ko Namaz ke bager bhi Masjid me Dakhil karna makrooh he,*
*®_ Shaami , 1/ 827*

*✿_ Janaza ki Namaz beth kar ya Sawaari ki haalat me jaa’iz nahi, jabki koi uzr na ho ,*
*®_ Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Agar Ek waqt me Bahut se Janaze Jama ho jaye ?*
                         
*✿ _Agar ek hi waqt me kai janaze Jama ho jaye to behtar ye he k har janaze ki Namaz alhida ( alag alag ) padhi jaye,*
*⇛Aur agar sab janazo ki ek hi Namaz padhi jaye tab bhi jaa'iz he ,,aur us waqt chahiye k sab janazo ki saf qaayam kar di jaye ,jiski behtar soorat ye he k ek Janaze ke aage doosra Janaza rakh diya jaye ,k sab ke payr ek taraf ho aur sabke Sar ek taraf aur ye soorat isliye behtar he k isme sabka seena imaam ke muqabil ho jayega ,Jo Masnoon he,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Agar Janaze mukhtalif asnaaf ( Qismo ) ke ho to is tarteeb se unki saf qaayam ki jaye k imaam ke qareeb Mardo ke janaze ,unke baad Ladko ke janaze aur unke baad Baaliga Aurto'n ke ,unke baad Baaliga ladkiyo ke,*
*®_ Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Janaze Ki Namaz me masbooq aur Laahiq ke Ahkaam ,-,*                        

*✿_ Agar koi shakhs Janaze ki Namaz me ese waqt pahuncha k kuchh takbeere uske aane se pehle ho chuki ho to Jis qadar Takbeere ho chuki ho unke aitbaar se Wo shakhs masbooq samjha jayega ,*
*⇛ Hashiya -- Kuunki pichhe maloom ho chuka he k Namaze Janaza me Takbeere Tehrima samet har Takbeer poori ek Raka'at ke hukm me he, Pas jitni Takbeere faut ho gayi Goya k utni hi raka'ate faut ho gayi ( Shaami )*

*✿_ Aur usko chahiye k foran aate hi aur Namazo ki tarah Takbeere Tehrima keh kar shareeq na ho jaye balki imaam ki agli Takbeer ka intezar kare, Jab imaam Takbeer kahe to uske saath ye bhi Takbeer kahe aur ye Takbeer uske haq me Takbeer e Tehrima hogi,*
*⇛ Fir Jab imaam Salam fer de to ye shakhs apni gayi hui Takbeero ko ada kare ,aur isme kuchh padhne ki zaroorat nahi,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*⇛Hashiya -- Lekin agar Wo Shakhs imaam ki agli Takbeer ka intezar kiye bager foran aate hi '" Allahu Akbar " keh kar Namaz me shareeq ho gaya to fir bhi Namaz durust ho jayegi ,Albatta shareeq hote waqt Jo Takbeere usne kahi Wo un 4 Takbeero me Shumaar na hogi Jo Namaze Janaza me Farz he , lihaza jab imaam Salam fer de to us Shakhs per laazim he k Jo Takbeere uske Namaz me shamil hone se pehle ho chuki thi Wo padh kar fir salaam fere,*
*®_Shaami ,*

*✿_ Agar koi Shakhs Takbeere Tehrima yani pehli Takbeer ya kisi aur Takbeer ke waqt mojood na tha aur Namaz me shirkat ke liye tayyar tha magar susti ya kisi aur vajah se shareeq na hua ,( Yani usne Takbeere nahi kahi ) to usko imaam ki agli Takbeer ka intezar nahi karna chahiye balki foran Takbeer keh kar shareeq e Namaz ho Jana chahiye, aur us Takbeer ka lotana ( yani imaam ke Salam ke baad ) uske zimme na hoga,*
*⇛Basharte k qabl iske k imaam agli Takbeer kahe, ye us Takbeer ko Ada kar le, magar imaam ki maiyat na ho ,Haa'n is Takbeer se pehle Jo Takbeere faut ho chuki un Takbeero me ye Shakhs masbooq he ,Wo Takbeere ye imaam ke salaam ke baad ada kare,*
*®_ Shaami ,Bahishti Gohar,*

*✿_ Janaze ki Namaz ka masbooq jab apni gayi hui Takbeero ko ada kare aur ye khof ho k agar Dua padhega to der hogi aur Janaza uske saamne se utha liya jayega to Dua na padhe ,*
*®_ Bahishti Gohar, Shaami ,*

*✿ _Janaze ki Namaz me agar koi Shakhs laahiq ho jaye to iska hukm wahi he Jo aur Namazo ke laahiq ka he ,*
*®_Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Janaza Ki Namaz me Imaamat Ka Mustahiq,*
                        
*✿_ Janaze ki Namaz me imaamat ka istahqaaq sabse zyada Haakime Waqt ( Badshaah, Sarbarahe Mulk ) ko he ,chahe Taqwa me usse behtar log bhi waha mojood ho,*
*⇛Agar Haakime Waqt waha mojood na ho to uska nayab yani Jo shakhs uski taraf se Haakime Shehar ho Wo Mustahiqe imaamat he, chahe Taqwa me usse Afzal log waha mojood ho ,aur Wo bhi na ho to Qazi Shehar ,Wo bhi na ho to uska naayab ,in logo ke hote hue doosre ko imaam banana bila unki ijazat ke jaa'iz nahi, unhi ka imaam banana waajib he,*

*⇛Agar ye log waha mojood na ho to us Mohalle ka imaam Mustahiq he ,basharte k Mayyat ke qareebi ( Rishte ) me usse Afzal na ho ,varna Mayyat ke Wo qareebi ( Rishtedar ) Jinko haq e wilayat haasil. He imaamat ka Mustahiq he ya Wo Shakhs jisko Wo ijazat de,*
*"_Agar bager ijazat wali e Mayyat ke kisi ese Shakhs ne Namaz padha di ho jisko imaamat ka istahqaaq nahi aur Wali us Namaz me shareeq na ho to Wali ko akhtyar he k us Mayyat per baad me Namaz padh le ,chahe Mayyat dafan ho chuki ho tab bhi uski Qabr per Namaz padh sakta he , Jab tak ki naash ke fat jaane ka khayal na ho,*
*®_Bahishti Gohar,*

*✿ _Haasil ye he k Ek Janaza ki Namaz kai martaba padhna Jaa'iz nahi, magar Wali e Mayyat ko , Jabki uski ijazat ke bager kisi gair Mustahiq ne Namaz padha di ho to Dobara padhna durust he,*
*®_Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Namaze Janaza Gaaibana,*                       

*✿_ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Gaaibaana Namaze Janaza nahi padhte the lekin ye sahi he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Shaahe Habsha Najashi ki Namaze Janaza gaaibaana padhi aur Hazrat Ma'aviya layshi Raziyallahu Anhu per bhi gaaibana Namaze Janaza padhi, lekin ho sakta he k ( Mayyat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per munkashif kar di gayi ho ya ) ye baat Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khusoosiyat ho,*
*®_ Shaami,*

*✿_ Gaaibana Namaze Janaza ko Imaam Abu Hanifa Reh .aur Imaam Maalik Reh . mutlaqan mana karte he'n ,aur Aaimma Hanfiya ka iske adme jawaaz per ittefaaq he ,*
*⇛Janaza ka saamne mojood hona Sahate Namaze Janaza ki Shart he,*
*®_ Shaami, Alhijr, Bahishti Gohar, Madarij Al nabuwah,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Janaza me Kasrate Ta’adaad ki Barkat aur Ahmiyat ,*

*✿_ Hazrat Aayesha Siddiqa Raziyallahu Ta’ala Anha se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-*
*”_ Jis Mayyat per Musalmano ki ek badi Jama’at Namaz padhe Jinki Ta’adaad 100 tak pahunch jaye, Aur Wo Sab Allah ke Huzoor me us Mayyat ke liye Sifarish kare ( Yani Magfirat v Rehmat ki Dua kare ) to unki ye sifarish aur Dua zaroor hi qubool hogi ,”*
*®_ Sahih Muslim, Ma’raful Hadees,*

*✿_ Hazrat Maalik bin Huberah Raziyallahu Anhu se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad suna k:-*
*”_ Jis Musalman Bande ka inteqal ho aur Musalmano ki teen safe uski Namaze Janaza padhe ( aur uske liye Magfirat v Jannat ki Dua kare ) to zaroor hi Allah Ta’ala uske vaaste ( Magfirat aur Jannat ) waajib kar deta he ,”*

*⇛Maalik bin Huberah Raziyallahu Anhu ka ye dastoor tha k Jab Wo Namaze Janaza padhne walo ki Ta’adaad kam mehsoos karte to isi Hadees ki vajah se un logo ko Teen safo me taqseem kar dete the ,*
*®_ Sunan Abi Dauwd, Ma’arful Hadees,*

*✿ _Jab mayyat ki Namaz se faarig ho jaye to foran uske Dafan karne ke liye jaha Qabr khudi ho le Jana chahiye,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Namaze Janaza ke baad Ahle Janaza ki ijazat ke bager Dafan se pehle wapas na hona chahiye aur Dafan ke baad Bager ijazat ke bhi wapas ho sakte he’n,*
*®_ Aalamgiri, 1/ 165,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Namaze Janaza Ki Duae'n _,*

*✧⇝:_ Sana aur Darud padhne ke Baad Teesri Takbeer ke baad Mayyat ke liye Dua padhe jo is tarah hai:_*

*✧⇝“__ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا، وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا، وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا، وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا، اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الْإِسْلَامِ، وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الْإِيمَانِ”*


*✧⇝“_ALLAHUMMAGH FIRLI HAYYINA, WA MAYYITINA, WA SHAHIDINA WA GHAYIBINA, WA SAGHIRINA WA KABIRINA, WA ZAKARINA WA UNSANA, ALLAHUMMA MAN AHYAYTAHU MINNA FA AHYIHI ALAL ISLAM, WA MAN TAWAFFAYTAHU MINNA FATAWFFAHU ALAL IMAAN ”*

*®_ Musannaf Abdur Razzaq: 6419, Sunanut Tirmizi: 1024.,*

*╠☞_Bachche ki dua:*

*✧⇝Nabaligh Mayyat Agar Bachcha ho to Teesri Takbeer ke Baad ya Dua padhe:_*

*"_ اللَّهُمَّ اجْعَلْهُ لَنَا فَرَطًا، وَاجْعَلْهُ لَنَا أَجْرًا وذُخرا، اجْعَلْهُ لَنَا شَافِعًا وَ مُشَفَّعاً._,*

*✧⇝“_ALLAHUMMAJ ALHU LANA FARTAN, WAJ ALHU LANA AJRAN WA ZUKHRA, WAJ ALHU LANA SHAFIAN WA MUSHAFFA'A”*

*╠☞_ Nabaligh Bachchi ki dua _,*

*"__ اللَّهُمَّ اجْعَلْهَا لَنَا فَرَطًا، وَاجْعَلْهَا لَنَا أَجْرًا وذُخرا، اجْعَلْهَا لَنَا شَافِعَةً وَ مُشَفَّعَةً._,*

*✧⇝“_ALLAHUMMAJ ALHA LANA FARTAN WAJ ALHA LANA AJRAN WA ZUKHRA, WAJ ALHA LANA SHAFIATAN WA MUSHFFA'AH _,*”

          *╂───────────╂*
*╠☞_Dafan Ka Bayan —(1) Qabr ki No’iyat,*

*✿_ Mayyat ke Gusl ,Kafan aur Namaze Janaza ki tarah Dafan karna bhi Farze Kifaya he, agar kisi ne bhi ye Farz ada nahi kiya to sab gunahgar honge,*
*®_ Bahishti Gohar, Aalamgiri,*

*✿_ Qabr Kam se kam Mayyat ke nisf ( half ) qad ke barabar gehri khodi jaye ,aur poore qad ke barabar gehri ho to zyada behtar he ,Qad se zyada na hona chahiye, aur muwafiq iske qad ke lambi ho aur Chodaai nisf qad ke barabar ,,Bagli Qabr Banisbat sandooqi ( Shaq ) ke behtar he,*
*⇛Haa’n agar Zameen bahut naram ho aur Bagli khodne se Qabr ke beth Jane ka andesha ho to fir Bagli qabr na khodi jaye,*
*®_ Shaami,*

*✿._ Bagli Qabr,— Yani Lahad ,iska Tareeqa ye he k Qabr khod kar uske andar se qibla ki jaanib ek gadha khoda jaye jisme Mayyat ko rakha ja sake, ye ek Chhoti si Kothri ki tarah hota he,*
*®_ Shaami,*

*✿ Sandooqi ( Shaq ) Qabr ,— Iska Tareeqa ye he k taqriban ek Fit Qabr khod kar uske bicho beech ek Gadha Mayyat ke nisf qad ya poore qad ke barabar gehra khoda jaye, Jiska Tol ( naap ) Mayyat ke qad ke barabar ho aur Chodaai zyada se zyada nisf qad ke barabar ho,*
*®_ Shaami,*

*✿_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Mubarak bhi Lahad yani Bagli banayi gayi thi ,baaz rivayaat se maloom hota he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me sandooqi Qabr bhi jisko Arbi me ” Shaq” kehte he ,hasbe moqa banayi gayi he’n, lekin Afzal Lahad yani Bagli Qabr hi ka Tareeqa he,*
*® Ma’arful Hadees ,*


*✿_ Ye bhi Jaa’iz he k Agar zameen Naram ya Sailab zada ho aur Bagli Qabr na khud sake to Mayyat ki kisi Sandooq ( Taboot ) me rakh kar Dafan kar de ,Sandooq chahe Lakdi ka ho ya patthar ya Lohe ka, Behtar Ye he k Sandooq me mitti bichha di jaye,*
*®_ Shaami , Bahishti Gohar,*

*✿_ Bagli Qabar ko kachchi iente’n ( bricks) aur narkal vagera lagakar band kanna chahiye, Pukhta iente’n ya Lakdi ke Takhte laga kar band karna Makrooh he,*

*⇛Albatta jaha Zameen Naram ya Sailabi hone ki vajah se Qabr ke beth Jane ka andesha ho to Pukhta iente’n ya Lakdi ke Takhte se band kiya ja sakta he ,aur esi soorat me Sandooq ( Taboot ) me rakhna bhi jaa’iz he, Albatta Sandooqi Qabr ( Shaq ) me Mayyat ke ouper Lakdi ke Takhte ya siment ke slipper lagana bila karahat durust he,*
*®_ Durre Mukhtar,*

*✿_ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Qabr ko ouncha nahi banate aur use iente’n patthar vagera se Pukhta tameer na karte aur use Qalai aur sakht mitti se na leepte, Qabr ke ouper koi imaarat aur Qubba na banate, ye sab bid’at aur makrooh he,*

*⇛ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr e Anwar aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke dono Sahaba Raziyallahu Anhu ki Qabre bhi Zameen ke ( Taqriban ) barabar he’n, Sangreze surkh un per chashpa he’n,*
*®_ Madarijun Nabuwah ,Safarul Sa’adat,*

*✿_ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Qabr Sharif ki haiyat aur Shaql ount ke Kohaan ke mushabe he,*
*®_ Shaami ,Ba- Hawala Bukhari Sharif,*

*✿_ Hazrat Saad bin Abi Waqqaas Raziyallahu Anhu ke Sahabzade Aamir Raziyallahu Anhu bayan karte he’n k mere Walid Sa’ad bin Abi Waqqaas Raziyallahu Anhu ne apne Marze Wafaat me Vasiyat Farmayi thi k ,*
*”_ Mere Vaaste Bagli Qabr banayi jaye aur usko band karne ke liye Kachchi iente’n khadi kar di jaye, Jis tarah Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke liye kiya gaya tha ,”*
*®_ Muslim Sharif ,Ma’arful Hadees ,*

*✿_ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnate Taiyaba ye thi k Lahad ( Bagli Qabr) banwate aur Qabr gehri karwate aur Mayyat ke Sar aur Paanv ki Jagah ko Faraakh karwate ,( Yani Qabr ki lambaai Mayyat ke Qad se kuchh zyada rakhi jati thi ,taki Sar aur Paanv ki taraf Jagah kushada rahe)*
*®_ Zawadul Ma’ad ,*

*✿_ Qabr ke liye agar Aam musalmano ke Qabristaan me jagah na mile ya kisi khaas vajah se ijazat na ho to Qabr ke liye Zameen khareed li jaye, uski qeemat bhi digar samaane Tajheez v Takfeen ki tarah Mayyat ke tarke me se ada ki jayegi,*
*®_ Mufeedul Variseen ,32,*

          *╂───────────╂*
      *╠☞ Qabr me Utaarna ,*

*☞_ Laash ko ( Death boady ko ) ek Shehar se doosre Shehar le Jana ,,*
*✿_ Laash ko ek Shehar se doosre Shehar me Dafan ke liye le Jana Khilafe Avla he ,jabki Wo doosra maqaam ek do meal se zyada na ho agar isse zyada musafat he to jaa’iz nahi,*
*⇛Aur Dafan ke baad Na’ash khod kar le Jana to har haalat me na-jaa’iz he,*
*®_ Bahishti Gohar,*

  *⇛ Qabr me Janaza Utaarna ,:-*

*✿_ Janaze ko pehle Qibla ki simt Qabr Ke kinaare is tarah rakhe k Qibla Mayyat ke Daayi Janib ho, fir utaarne wale Qibla rukh khade hokar Mayyat ko Ahatyaat se uthaakar Qabr me rakh de,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Qabr me Rakhte waqt ”Bismillahi va billahi va Alaa millati Rasoolillahi,,” Kehna mustahab he,*
*®_ Bahishti Gohar, Zaadul Ma’aad ,*

*✿_ Qabr me utaarne walo ka Taaq ( 3,5,7 ) ya Jaft hona masnoon nahi, Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko Aapki Qabre Muqaddas me 4 Aadmiyo’n ne utaara tha,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿_ Qabr me Mayyat ko utaarte Waqt ya Dafan ke baad Azaan kehna Bid’at he,*

*✿_ Mayyat ko Qabr me rakh kar Daahine pehlu per usko Qibla rukh kar dena Masnoon he ,sirf Moonh Qibla ki taraf kar dena kaafi nahi balki poore Badan ko achchhi tarah karwat de dena chahiye,*
*®_Bahishti Gohar, islaahi inqlaab e Ummat ,*

*✿_ Qabr me rakhne ke baad Kafan ki Wo girah Jo Kafan khul Jane ke khof ki vajah se di gayi thi, khol di jaye,*

*✿ _Aurat ko Qabr me rakhte waqt Parda karke rakhna mustahab he ,aur agar Mayyat ke Badan ke zaahir ho Jane ka khof ho to fir Parda karna Waajib he,*
*⇛ Mardo ke Dafan ke waqt Qabr per Parda karna na chahiye, haa’n agar uzr ho Maslan paani baras raha ho ya barf gir rahi ho ya dhoop ho to fir jaa’iz he,*
*®_Bahishti Gohar*,

*✿_Jab Mayyat ko Qabr me rakh de to Qabr agar Bagli he to use kachchi iente’n aur narkal vagera se band kar de ,aur agar Qabr Sandooqi he to uske ouper lakdi ke Takhte ya Siment ki silate rakh kar band kar diya jaye,*
*⇛Takhto vagera ke darmiyan Jo suraakh aur Jhiriya’n reh jaye unko Kachche dhelo ,pattharo ya Gaare se band kar de ,uske baad mitti daalna shuru kare ,*
*®_ Bahishti Gohar, Shaami ,*

*✿_ Mitti Daalte waqt Mustahab he k Sarhane ki taraf se ibtida ki jaye, aur Har Shakhs 3 martaba apne dono haatho me Mitti bhar kar Qabr me daal de,*
*⇛Aur pehli martaba daalte waqt kahe,*
*” Minha Khalaqnakum ”*
*Aur Doosri Martaba kahe,*
*” Va Feeha nu’iedukum ”*
*_Aur Teesri martaba kahe,*
*” Va minha nukhrijukum Taaratan Ukhra “,*

*✿ Jis qadar mitti us Qabr se nikli ho wo sab us per daal de, isse zyada mitti daalna makrooh he, jabki bahut zyada ho k Qabr ek Baalist se bahut zyada ounchi ho jaye, aur agar bahar ki mitti thodi si ho to makrooh nahi,*

*✿_ Qabr ka murabba ( Chokor ) banana makrooh he, mustahab ye he k uthi Hui misl kohaan e Satar ( Ount ke kohaan ) ke banayi jaye, iski bulandi ek Baalist ya isse kuchh zyada hona chahiye,*
*✿ _Mitti daal chukne ke baad Qabr per paani chhidak Dena mustahab he,*
*®_ Bahishti Gohar,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Dafan ke Mutafarriq Masail ,-*

*✿ _Agar Mayyat ko Qabr me Qibla rukh karna yaad na rahe aur baad Dafan karne ke mitti daalne ke khayal aaye to fir Qibla rukh karne ke liye uski Qabr ko kholna jaa’iz nahi,*
*⇛Haa’n agar sirf Takhte rakhe gaye ho mitti na daali ho to Takhte hatakar usko Qibla rukh kar dena chahiye,*

*✿_ Agar koi Shakhs pani ke jahaaz ya kashti per mar jaye aur zamane waha se is qadar door ho k laash ke kharaab ho Jane ka khof ho to us waqt chahiye k Gusl aur Takfeen se faragat karke uske saath koi wazni cheez patthar ya Loha vagera baandh kar usko Dariya me daal de,*
*⇛Aur agar kinaara door na ho aur waha zaldi utarne ki ummeed ho to us laash ko rakh chhore aur pahunch kar zameen me Dafan kar de,*

*✿_ Jab Qabr me mitti pad chuke to uske baad Mayyat ka Qabr se nikaalna Jaa’iz nahi, Haa’n agar kisi Aadmi ki haqtalfi hoti ho to Albatta nikaalna jaa’iz he ,Jese:-*
*⇛1′ – Jis Zameen me usko Dafan kiya he Wo kisi doosre ki milk ho aur WO uske Dafan per raazi na ho,*
*⇛2′ – Kisi Shakhs ka maal Qabr me reh gaya ho,*

*✿_ Agar koi Aurat mar jaye aur uske Pet me zinda bachcha ho to uska pet chaak karke Wo bachcha nikaal liya jaye,*
*⇛isi tarah agar koi shakhs kisi ka maal nigal kar mar jaye aur maal wala maange to Wo maal uska pet chaak karke nikaal liya jaye ,lekin agar Mayyat maal chhor kar Mära he to uske tarke me se Wo maal ada kar diya jaye aur pet chaak na kiya jaye,*

*✿_ Ek Qabr me ek se zyada laasho ko Dafan nahi karna chahiye Albatta shadeed zarurat ke waqt jaa’iz he, fir agar sab murde Mard ho to Jo un sab me Afzal ho usko aage ( Qibla ki taraf ) rakhe ,baqi sabko uske pichhe darja ba darja rakh de,*
*⇛ Aur agar kuchh Mard ho aur Kuchh Aurten aur Kuchh Bachche to Mardo ko aage fir Bachcho ko fir Aurto’n ko rakh de ,aur har do Mayyat ke darmiyan mitti se kuchh Aad bana de,*
*®_ Bahishti Gohar, Aalamgiri,*

          *╂───────────╂*
         *╠☞_Tadfeen Ke Baad ,*
                         
*✿_ Mayyat ke Dafan se faarig hone ke baad Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Aur Aapke Sahaba Raziyallahu Anhu us Qabr ke paas khade hokar Mayyat ke liye munkar Nakeer ke Jawab me saabit Qadam rehne ki Dua khud bhi farmate aur doosro ko bhi talqeen farmate k Apne Bhai ke liye saabit Qadam rehne ki Dua karo,*
*®_Zaadul Ma'aad,*

*✿_ Dafan ke baad itni der theharna mustahab he jitni der me ek ount zibah karke uska Gosht taqseem ho sakta he,*
*®_ Aalamgiri, 1/166,*

*⇛iska ye matlan nahi k ount Zibah kiya jaye aur Gosht taqseem kiya jaye, balki sirf waqt ki miqdaar batana Maqsood he,*

*✿_ Dafan ke baad thodi der Qabr per theharna aur Mayyat ke liye Dua e Magfirat karna ya Quraan Sharif padh kar sawaab pahunchana mustahab he,*
*®_ Shaami ,Bahishti Gohar,*

*✿_ Dafan ke baad Qabr ke sarhane Surah Baqrah ki ibtidaayi Ayaat "Muflihoon" tak aur Paanv ki taraf Surah Baqrah ki Akhri Ayaat " Aamanarrasoolu " se Khatm tak Surah padhna mustahab he,*
*®_ Bahyqi ,Shoabul imaan ,Ma'arful Hadees, 3/485*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Qabr per Kutba Vagera Lagana ,imaarat banana ,Qabr per chalna firna aur Khilafe Sunnat kaam,*                       

*✿_ Qabr per koi cheez ( Naam vagera) bator yaddasht likhna baaz ulma ke nazdeek jaa'iz nahi aur baaz ulma ne zarurat ho to iski ijazat di he,*
*⇛Lekin Qabr per ya iske kutbe per Quran Sharif ki Aayat likhna ,ya Sher likhna ya Mubalga aamez tareef likhna makrooh he,*
*®_ Shaami,*

*✿_ Qabr per koi imaarat misl gumbad ya Qubba banana bagarze zeenat haraam he ,aur mazbooti ki niyat se banana makrooh he,*
*®_Bahishti Gohar,*

*✿_ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat ye bhi he k Qabro per chalne ,bethne aur Tek lagane se parhez kiya jaye,*
*®_ Zaadul Ma'aad,*

*✿_ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat nahi k Qabro ko ( bahut zyada ) ouncha kiya jaye, na pakki iento se aur na pattharo se ,na kachhi iento se , aur na Qabro ko Pukhta karna sunnat me Dakhil he ,aur na un per Qubbe banana,*
*®_ Zaadul Ma'aad,*

*✿_ Qabro per charaag jalana aur Qabro ko Sazda gaah bsnane se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mana farmaya he,*
*®_ Zaadul Ma'aad,*

*✿_ Qabr beth jaye to dobara us per mitti daalna jaa'iz he,*
*®_ imdadul Fatawa ,525,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Maut Per Sabr ka Ajro Sawab aur Mayyat ka Sog Manana,*                        

*✿_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,"_ Allah Ta'ala ka irshad he k Jab imaan wale Bande ( ya Bandi ) ke Kisi pyare ko uthaa lu'n ,fir Wo sawab ki ummeed me Sabr kare to mere paas uske liye Jannat ke Siva koi muawza nahi ,,"*
*®_ Sahi Bukhari, Ma'arful Hadees,*

*✿_ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,"_ Kisi Momin ke liye halaal nahi k 3 ( Teen ) din se zyada kisi ka Sog manaye ,sivae Beva ke k ( Shohar ki maut per ) uske Sog ki muddat chaar ( 4 ) Mahine das ( 10 ) din he ,"*
*®_Tirmizi. Bukhari ,*

*⇛ Yaha Sog se matlab Zaibo Zeenat ka chhod dena he ,yani Beva ko apne Shohar ki Wafaat ke baad iddat me 4 mahine 10 din tak Zaibo Zeenat ko chhod dena To zaroori he, iske alawa kisi Shakhs ko kisi moqe per 3 din se zyada sog manana Jaa'iz nahi,*

*✿_ Sunnat ye he k Allah Ta'ala ke Faislo per raazi rahe ,Allah ki Hamdo Sana kare aur (Jab bhi Gam aaye ) " inna lillahi va inna ilayhi Raajioun " padha kare,*
*⇛Aur Musibat ke waqt kapde faadne walo ,Buland Awaaz se Noha v maatam karne walo aur Baal mundwane walo se bezaari ka izhaar kare,*
*®_ Zaadul Ma'aad,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ta'aziyat karna aur Mayyat ke Ghar walo se Husne Sulook,*                         

*✿ _Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Mayyat ke saath esa ahsaan aur maamla farmate the Jo uske liye Qabr aur Akhirat me faaayde mand ho aur uske ghar walo aur Rishtedaro ke saath bhi Husne Sulook farmate,*
*⇛Mayyat ke liye istagfaar farmate, aur Namaze Janaza ke baad Dafan tak Janaza ke saath jate ,aur Qabr ke sarhane khade hokar Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Rizwanullahi Ajmaiyn uske liye Kalma imaan per saabit Qadam rehne ki Dua farmate ,fir uski Qabr ki ziyarat ke liye tashreef le jaya karte aur Sahibe Qabr ko Salam karte aur uske liye Dua farmaya karte the,*
*®_Madarij Annabuwah,*

*✿_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k ," Jis shakhs ne kisi musibat zada ki Ta'aziyat ( Tasalli ) ki uske liye esa hi Ajro Sawab he jesa us musibat zada ke liye ,"*
*®_ Jamia Tirmizi, ibne maaja ,Ma'arful Hadees*

*✿_ Jis ghar me gami ho unke yaha teesre din tak ek baar Ta'aziyat ke liye Jana mustahab he, Mayyat ke mutalliqeen ko taskeen v tasalli dena aur Sabr ke fazail aur uska Azeemushshan Ajro Sawab suna kar unko Sabr ki ragbat dilana aur Mayyat ke liye Dua e Magfirat karna Jaa'iz ( balki bada nek kaam he ) he ,isi ko Ta'aziyat kehte he ,*
*⇛Teen din ke baad Ta'aziyat karna Makrooh tanzihi he,*

*⇛lekin agar Ta'aziyat karne wala Safar me ho ya Mayyat ke Azeezo Aqaarib ( jinke paas Ta'aziyat ke liye Jana chahiye Wo ) Safar me ho aur Teen din ke baad aaye to is soorat me Teen din ke baad bhi Ta'aziyat ko Jana makrooh nahi _,"*
*®_ Bahishti Gohar,,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ahle Mayyat ke liye Khana Bhejna Mustahab he:-*
                         
*✿_ Hazrat Abdullah bin Ja'afar Raziyallahu Anhu ka bayan he k jab ( Unke Walide Majid ) Hazrat Ja'afar ( bin Abu Talib ) Raziyallahu Anhu ki Shahadat ki khabar Aayi to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,"_ Ja'afar ke ghar walo ke liye khana Taiyar kiya jaye, woh is ittela ki vajah se ese haal me he'n k khana taiyar karne ki taraf tavajjoh na kar sakenge,*
*®_ Jamia Tirmizi, ibne maaja, Ma'arful Hadees,*

*✿_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnate Taiyaba ye bhi thi k Mayyat ke ahle khana Ta'aziyat ke liye aane walo ko khana khilane ka ahatmam na kare'n ,balki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hukm farmaya k Doosre log ( Dost aur Azeez ) unke liye khana taiyar karke unhe bheje ,ye cheez Akhlaaqe Hasna ka ek namoona he aur Mayyat ke ghar walo ko subukdosh karne wala Amal he ,*
*®_ Zaadul Ma'aad,*

*✿_ Ahle Mayyat ke padosiyo aur Door ke Rishtedaro ke liye mustahab he k wo ek din ka ek Raat ka khana taiyar karke Mayyat walo ke yaha bheje aur agar Wo GAM ki vajah se na khate ho to israar karke unhe khilaye ,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami, 1/841,*

*✿_ Jo log Mayyat ki Tajheez v Takfeen aur Dafan ke kaamo me masroof ho unko bhi ye khana khilana Jaa'iz he,*
*®_ Madarij Annabuwah ,1/710*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Ahle Mayyat ki Taraf se Dawat e Aam Bid'at he,*
                         
*✿_ Aaj kal baaz na-waakif logo me Jo Rasm he k Ta'aziyat ke liye Aane walo ke waste Mayyat ke ghar wale khana pakwate he'n aur unki Dawat karte he'n,*
*⇛Ye Sunnat ke Khilaf hone ki vajah se na-jaa'iz he aur Bid'at he,*
*⇛Kyunki Dawat Khushi ke moqe per hoti he Gami per nahi ,*

*✿_ Aane walo ko bhi chahiye k agar woh Ahle Mayyat ke waste khana nahi bhej sakte to kam se kam un per apna Bojh to na daale,*
*®_ Shaami, 1/841,842,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ziyarate QUboor -,*                        

*✿_ Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-*
*"_ Mene tumko Ziyarate Quboor se mana kiya tha ( ab ijazat deta hu k ) tum Qabro ki ziyarat kar liya karo ,kyuki ( iska faayda ye e k ) isse Duniya ki Be-ragbati aur Akhirat ki yaad aur Fikr paida hoti he,*
*®_ Sunan ibne maja, Ma'arful Hadees,*

*✿ _Qabro ki Ziyarat karna yani unko Jaakar dekhna Mardo'n ke liye mustahab he ,Behtar ye he k har hafte me kam az kam ek baar Qabro ki Ziyarat ki jaye aur Zyada behtar ye he k Wo din Juma ka ho ,,*
*®_ Bahishti Gohar,*

*✿ _Buzurgo ki Qabro ki Ziyarat ke liye Safar Karna bhi Jaa'iz he basharte k Aqeeda aur Amal khilafe Shara'a na ho ,Jesa k Aaj kal Urso'n ( ke naam per ) me mufasid hote he'n ,,*
*®_Bahishti Gohar,*

*➡ Kabhi kabhi Shabe Bara'at me bhi Qabristaan Jana aur Ahle quboor ke liye Dua e magfirat karna Sunnat se saabit he ,Jab Qabristaan me Dakhil ho to waha ke sab ahle quboor ki niyat karke unko ek baar Salaam karna chahiye,*

*"_Hadees Sharif me he k ," Jo Shakhs bhi apne kisi Jaanne wale( musalman) ki Qabr per guzarta aur usko Salam karta he ,Wo Mayyat usko pehchan leta he aur usko Salam ka jawab deta he ,( agarche us jawab ko Salam karne wala nahi sunta )*
*®_ Bahishti Johar bahawala Kanzul Aamaal ,*
                
*✿ _Ahle Quboor ko Salam in alfaz me karna chahiye:-*
*"_ Assalamu Alaykum Ya Ahlal Quboori , Yagfirullaahu Lana Va Lakum Antum Salafuna Va Nahnu Bil asari ,,"*

*⇛Tarjuma::--"Salam ho Tum per Ey Qabr walo ! Allah Ta'ala hamari aur Tumhari magfirat farmaye ,Tum humse aage Jane wale ho aur Hum pichhe pichhe aa rahe he'n, "*

*✿_ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Madina Tayyaba ki Chand Qabro se guzre to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko inhi alfaaz me Salam farmaya tha,*
*®_ Jamia Tirmizi, Ma'arful Hadees,*

*✿_ Salam ke baad Qibla ki taraf pusht karke aur Mayyat ( Qabr ) ki taraf moonh karke Jitna ho sake Quran Sharif padh kar Mayyat ko sawab pahuncha de,*
*⇛Maslan Surah Fatiha, Surah Yaseen, Surah Mulq, Surah Alhakumuttakasur ya Surah Ikhlaas (Qulhuvallah) 11 martaba ya 7 martaba ya jitni asaani ho padh kar Dua kare k Ya Allah ! Iska sawab Sahibe Qabr ko pahuncha de,*
*®_ Mirqaat Sharah Mishkaat ,4/115,*

*✿_ Mayyat ke liye Dua e magfirat bhi karni chahiye, Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Aadate Kareema ye thi k Aap Sallallahu Alaihivasallam Qabro ki Ziyarat isliye ( bhi ) farmate the k unke liye Dua e Magfirat farmaye'n ,"*
*®_ Madarij Annabuwah ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Aurto'n ka Qabristaan (Ya Qabro'n per) Jana,*
                         
*✿_ Aurto'n ka Qabristaan Jana baaz fuqha kiraam ke nazdeek bilkul na-jaa'iz he,*

*⇛Lekin Fatwa is per he k Jawaan Aurat ko to Jana Jaa'iz hi nahi he aur Budhi ( old ) Aurat ko is shart ke saath Jaa'iz he k Parda ke saath jaye ,Ban sanwar kar ya Khushbu laga kar na jaye ,*

*✿_"_Aur is baat ka yaqeen ho k Khilafe Shariyat koi Amal na karegi , Maslan- Rona Peetna, Ahle quboor se haajate maangna aur doosri na-jaa'iz Baate aur Bid'ate Jo Qabro per ki jati he'n un sabse parhez kiya jaye ,*

*➡( Maslan - Tawaf karna, Choomna ,Sajda karna ,Ruku ki haalat me khade hona ,Mannat ke liye Dhaga ya jhoola baandhna, Mannat maanna, ye tamaam umoor na-jaa'iz aur Haraam he'n )*

*✿_ Ek Hadees Sharif me Qabristaan Jane Wali Aurto'n per ALLAAH ki laanat mazkoor he ,, Fuqha kiraam Reh. farmate he'n k Jo Aurte'n mazkoora baala sharto ki pabandi ke bager Qabristaan jati ho woh is laanat ki Jad me he'n,*
*®_ Shaami, 1/843, imdadul Fatawa 1/520, imdadul Ahkaam 1/720,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Isaale Sawab Ka Masnoon Tareeqa:-*                         

*✿_ iski ( isaale sawab ki ) Haqeeqat Shar'a me sirf itni he k kisi ne koi Nek kaam Kiya ,us per usko Jo kuchh sawab mila usne apni taraf se wo Sawab kisi doosre ko de diya ,( chahe Murda ho ya Zinda ) ,Wo is tarah k, "Ya Allah ! Mere is Amal ka sawab Jo Aapne mujhe ata farmaya he Wo fala (us Shakhs ka naam) Shakhs ko de dijiye, aur pahuncha dijiye,*

*⇛Maslan-- Kisi ne khuda ki Raah me kuchh khana ya kuchh naqad Raqam ya Kapda vagera diya ya Nifl Namaze padhi, Nifl Roze rakhe ya Nifl Hajj ya Umrah kiya ya Kalame Paak ki tilawat ki, Tasbihaat ,Kalma Taiyaba Vagera padha Ya muskil Khairaat Jaariya Maslan - Ta'ameer Masjid, Dini Madaris ya Dini Kitaabo ki isha'at fi sabilillah ki,*
*⇛iske baad Allah Ta'ala se Dua ki k, "Jo kuchh iska Sawab mujhe mila he WO sawab fala Shakhs (uska naam le) ko pahuncha dijiye,"*

*⇛Khwah is qism ka kaam Aaj kiya ho ya isse pehle Umar bhar me kabhi kiya tha ,Dono ka sawab pahunch jata he, bas is qadar Shariyat se saabit he,*
*®_ Shaami, Bahishti Zever,*

*✿_ Isaale Sawab ke liye Shar'an na koi khaas Waqt ya Din muqarrar he k iske alawa Isaale Sawab na ho sakta ho, Na koi khaas Jagah muqarrar he, na koi khaas ibaadat, Na ye zaroori he k Isaale Sawab ke liye Aadmi Jama ho'n ya khane ki koi cheez mithayi vagera saamne rakhi jaye ya us per Dam kiya jaye Ya kisi Aalime Deen ko ya Hafiz ,Qari ko bulaya jaye ,Na ye zaroori he k poora Quran Paak khatm kiya jaye, ya koi Khaas Surat ya Dua kisi khaas tadaad me padhi jaye,*

*⇛Logo'n ne apni taraf se ye Rasme ijaad karke pabandiya bada li hai'n, Varna Shariyat ne Isaale Sawab ko itna Asaan banaya he k Jo Shakhs jis waqt bhi chahe ,Jis Din bhi chahe koi si bhi Nifli ibadat karke uska Sawab Mayyat ko pahuncha sakta he,*

*✿_ Agar kisi ibaadat ka Sawab ek se zyada Shakhso ko bakhsha, Maslan ek Rupiya Sadqa kiya aur uska Sawab 10 murdo ko bakhsh diya ,to har Mayyat ko poore ek Rupiya ka Sawab milega ya ek hi Rupiya ka sawab Sab Murdo me thoda thoda taqseem hoga ?*
*⇛iski Quran v Sunnat me koi Sarahat nahi milti, ahatmal dono he'n lekin Fuqha ki ek jama'at ne pehle ahatmal ko tarjeeh di he ( k Sabko barabar poora poora Sawab milega ), Aur Allah Ta'ala ki wusate Rehmat ke zyada layaq bhi yahi he,*
*®_ Shaami, 1/ 845,*

          *╂───────────╂*
*╠_ Isaale Sawab ka Hadees se Saboot,*
                        
*✿_ Kisi ki maut ke baad Rehmat ki Dua karna, Namaze Janaza Adaa Karna ye Aamaale masnoona he'n ,inke saath doosra Tareeqa Mayyat ki nafa rasani ka ye he k Mayyat ki taraf se Sadqa kiya jaye ya Koi Amale khair karke uska Sawab Mayyat ko pahunchan diya jaye ,isi ko Isaale Sawab kaha jata he ,*

*✿_ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Sa'ad bin Ubaadah Raziyallahu Anhu ki walida ka inteqal ese waqt hua k khud Sa'ad mojood nahi the, ( Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath ek gazwah me tashreef le gaye the, jab wapas aaye ) to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me aakar arj kiya ,:-*
*"_ Ya Rasulullah ! Meri adme mojoodgi me meri Waalda ka inteqal ho gaya, agar me unki taraf se Sadqa karu to kya Wo unke liye faayda mand hoga ,?( Aur unko isaka sawab pahunchega ? )*

*"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Haa'n ! Pahunchega,*
*"_Unhone arj kiya ,:- To me Aapko gawaah banata hu k apna baag mene apni waalda ( ke sawab ) ke liye Sadqa kar diya,*

*®_ Sahih Bukhari, Ma'arful Hadees,*
          *╂───────────╂*
*╠☞_ isqaate Hamal ke Masail-,*                         

*☞ 1- Hamal me sirf Gosht ka Tukda gire:-*
*✿_ Agar Hamal gir jaye aur uske haath Paa'nv, naak, moonh vagera uzv kuchh na bane ho to usko Gusl na diya jaye, na Kafan diya jaye, na Namaze Janaza padhi jaye aur na baqaayda usko Dafan kiya jaye,*
*⇛Balki kisi kapde me lapet kar wese hi gadha khod kar Zameen me daba diya Jaye ,aur uska naam bhi na Rakha Jaye,*
*®_ Shaami ,1/809,*

*☞ 2- Hamal me kuchh A'aza ban gaye ho:-*
*✿_ Agar Hamal gir jaye aur uske kuchh uzv ban gaye ho ,poore a'aza na bane ho to uska naam rakha jaye aur Gusl bhi diya jaye,*
*⇛lekin baqaayda Kafan na diya jaye balki yuhi ek kapde me lapet diya jaye aur Namaze Janaza bhi na padhi jaye ,Bager Namaz padhe yuhi Dafan kar diya jaye,*
*®_ Shaami ,1/830, Bahishti Zever,*

*☞ 3- Murda Bachcha Paida hone ka Hukm:-*
*✿_ isqaate Hamal me ya mamool ke mutabiq wiladat me Mara hua Bachcha paida ho aur Paidaish ke waqt Zindgi ki koi Alamat usme mojood na ho ,chahe A'aza sab ban chuke ho to ESE Bachche ka wahi Hukm he Jo pichhle masle ( 2-Hamal me Kuchh A'aza ban gaye ho ) me bayan hua,*
*⇛Yani k usko Gusl bhi diya jaye aur naam bhi rakha jaye ,lekin baqaayda Kafan na diya jaye aur na namaze janaza padhi jaye balki yuhi kisi ek Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*
*©_ Shaami, 1/830,*
               

*☞ 4 - Paidaish ke Shuru me Bachcha Zinda tha, Fir Mar gaya :-*
*✿ _Wiladat ke waqt Bachcha ka faqat sar nikla ,us waqt wo zinda tha fir mar gaya ,to uska hukm wahi he Jo Murda Bachcha paida hone ka pichhle hisse me bayan hua ,*
*⇛ k usko Gusl diya jaye naam rakha jaye ,lekin baqaayda Kafan na diya jaye balki kisi ek Kapde me lapet kar bager Namaze Janaza ke yuhi Dafan kar diya jaye,*
*®_ Shaami ,829-830,*

*☞ 5- Badan ka Aksar hissa nikalne tak Bachcha Zinda ho:-*
*✿_ Wiladat ke waqt Badan ka Aksar hissa nikalne tak Bachcha Zinda tha ,uske baad mar gaya, uska Hukm zinda Bachcha paida hone ki tarah he,*
*⇛Baqayda usko Gusl diya jaye ,Kafan diya jaye Behtar ye he k Ladka ho to Mard ki tarah, Ladki ho to Aurat ki tarah Kafan diya jaye Lekin ladke ko sirf ek aur ladki ko Sirf Do kapde dena durust he ,*
*⇛Aur uska naam bhi rakha jaye aur Janaze ki Namaz padh kar baqaayda Dafan kiya jaye ,*
*( Aksar hissa nikalne ka matlab ye he k Bachcha sar ki taraf se paida ho to Seene tak aur Agar ulta paida ho to Naaf tak Zinda nikalne se Aksar hissa nikalna samjha jaye )*
*®_ Shaami ,*

*☞ 6- Murda Aurat ke Pet me Bachcha Zinda ho to Kya Hukm he ?*
*✿_ Agar kisi Aurat ka Hamal ki haalat me inteqal ho jaye aur uske pet me Bachcha Zinda ho to Aurat ka Pet chaak karke Bachcha nikaal liya jaye,*
*®_ Durre Mukhtar, 1/840,*

*⇛Fir agar ye Bachcha Zinda nikalne ke baad mar jaye to sab Bachcho ki tarah iska naam rakha jaye Gusl Kafan, Dafan, Namaze Janaza baqaayda kiya jaye ,*
*⇛Aur agar Hamal me jaan hi na padhi ho ya Jaan padh gayi ho lekin bahar nikalne se pehle Wo bhi mar gaya to ab Aurat ka Pet chaak karke Bachcha na nikaala jaye, lekin agar nikaal liya to uska wahi Hukm hoga Jo Murda Bachche ka he ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Mutafarrik Masail ,-*                         

*☞ 1- Jo Shakhs pani me Doob kar mar gaya ho:- Agar koi Shakhs pani me doob kar mar jaye to nikaalne ke baad usko Gusl dena Farz he ,Pani me doobna Gusl ke liye kaafi nahi,*
*"_Kyuki Mayyat ko Gusl dena zindo per Farz he aur doobne me Zindo ka koi Gusl nahi hua, Albatta agar pani se nikaalte waqt Gusl ki niyat se Mayyat ko pani me harkat de di jaye to Gusl ada ho jayega,*
*®_ Al Bahar Ar-Ra'iq,*

*⇛iske baad Mayyat ko baqaayda Kafan dekar Namaze Janaza padh kar Sunnat ke mutabiq Dafan kare ,lekin agar usko Baagiyo, Dakuo ya Gair Muslim mulk ke gairo ne Dubo diya ho aur usme Shaheed ki Qisme Avval ki Wo sab sharte mojood ho to us per Shaheed ke Ahkaam Jari honge,*

*☞ 2- Jo laash Fool gayi ho:- Kisi ki laash pani me doobne ya Tajheez v Takfeen me takheer ya kisi aur vajah se agar itni fool jaye k haath lagane ke bhi qaabil na rahe, Yani Gusl ke liye haath lagane se fat Jane ka andesha ho to esi soorat me laash per sirf pani baha dena kaafi he,*
*⇛ Kyuki Gusl me malna vagera zaroori nahi he ,aur fir baqaayda Kafnakar Namaze Janaza ke baad Dafan karna chahiye,*
*⇛Lekin agar Namaz se pehle laash fat jaye to Namaz padhe bager hi Dafan kar diya jaye,*
*®_ Aalamgiri, Bahar, imdadul Ahkaam,*

*☞ 3- Jis Laash me Badbu paida ho gayi ho :- Jis Laash me Badbu paida ho gayi ho magar Fati na ho uski Namaz Pashu jayegi,*
*⇛ Aur jo Laash Fool kar Fat gayi ho uski Namaze Janaza saaqit he uski Namaze Janaza na padhi jaye,*
*®_ Bahar v imdadul Ahkaam,*

*☞ 4 - Sirf Haddiyo ka Dhancha Baramad hua ho :- Jis Laash ka Gosht vagera sab alag alhida ho gaya ho aur uski sirf Haddiyo ka Dhancha baramad hua ho ,to us Dhanche ko Gusl dene ki zarurat nahi, us per Namaze Janaza bhi na padhi Jaye balki wese hi kisi paak kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye ,*
*®_ imdadul Ahkaam, 1/738,*

*☞ 5- Jo Shakhs Jal kar Mara ho :- Jo Shakhs Aag ya Bijli vagera se Jal kar mar jaye use baqaayda Gusl v Kafan de kar aur Namaze Janaza padh kar Sunnat ke mutabiq Dafan kiya jaye aur agar laash fool aur fat gayi ho to uska hukm pehle bayan ho chuka he,*
*®_ Durre Mukhtar, Bahar, imdadul Ahkaam,*

*⇛Lekin jis Shakhs ko Baagiyo, Daku ya gair Muslim mumalik ke kaafiro ne jala kar maara ho ya Wo m'arka Jung me Mara hua paya jaye aur usme Shaheed ki Qisme Avval ki sab Sharayat mojood ho to us per Shaheed ke Ahkaam jari honge,*

*☞ 6 -Jal kar Koyla ho Jane ka Hukm :- Jo Shakhs jal kar bilkul Koyla ban gaya ya Badan ka aksar hissa jal kar Khaaktar ho gaya to usko Gusl v Kafan dena aur Namaze Janaza padhna kuchh waajib nahi he, Yuhi kisi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*
*®_ Aalamgiri v Fatawa Darul uloom,1/345,*

*☞_7_ Aur agar Badan ka aksar hissa jalne se mehfooz ho ,agarche Sar ke bager ho ya Adha Badan may sar ke mehfooz ho ya poora Jism jala ho magar mamooli jala ho ,Gosht posht aur Haddiya saalim ho to usko baqaayda Gusl v Kafan dekar aur Namaze Janaza padh kar Dafan karna chahiye,*
*®_ Aalamgiri v Shaami ,1/809,*

*☞ 8- Dab kar Ya Gir kar Marne wale ka hukm:- Jo Shakhs kisi diwaar ya imarat ke niche dab kar mar jaye ya kisi Buland Jagah se niche gire ya Fizayi Haadse ka shikaar hokar halaak ho jaye aur Badan ka aksar hissa mehfooz ho to usko baqaayda Gusl v Kafan dekar aur Namaze Janaza padh kar Dafan karna chahiye,*
*"_Lekin agar ye Haadsa Dushman Gair Muslimo ya Baagiyo ya Daku'o ki kaarwayi ho to usme Marne walo per Shaheed ke Ahkaam jaari honge,*

*☞ 9- Aam Hadsaat ka Shikaar hone walo ka Hukm :- Motor Cyclo ,Rail Gadiyo aur Digar Sawariyo ke Accident se halaak Shuda ka bhi wahi hukm he Jo ouper ( 8 no. ) me bayan hua,*
*®_ Durre Mukhtar,*
                   
*☞ 10 - Jo Laash Kunve ( Well) Ya Malbe se nikaali na Ja sake :- Agar koi Shakhs Kunve vagera me gir gaya ya kisi imaarat vagera ke Malbe me dab kar mar gaya aur waha se Laash nikaalna Mumkin na ho to majboori ki vajah se uska Gusl v Kafan maaf he,*
*⇛Aur Jaha Laash doobi ya dabi rah gayi ho usi jagah ko uski Qabr samjha jayega aur usi haalat me us per Namaze Janaza padhi jayegi,*
*®_ Shaami ,1/ 827,*

*☞ 11- Jo Laash Samundar vagera me lapata ho jaye:- Koi Shakhs Samundar me doob kar mar gaya aur Laash ka pata na chale ya Kisi aur Tareeqa se mara ho aur Laash gum ya laapata ho to esi soorat me Gusl v Kafan, Namaze Janaza aur Takfeen sab Maaf he,*
*⇛ Uski Namaze Janaza gaaybana bhi na padhi jaye, Kyunki Namaze Janaza durust hone ke liye ek shart ye bhi he k Mayyat saamne mojood ho,*
*®_ Shaami ,1/827,*

*☞ 12- Khudkushi Karne Wale ka Hukm:- Jo Shakhs apne aapko galti se ya jaan boojhkar halaak kar de to usko baqaayda Gusl v Kafan de kar Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye,*
*® Durre Mukhtar v Shaami ,1/815*
   
*☞ 13- Musalman aur Gair Muslimo ki Laashe Khalat Malat ho Jaye aur Pehchani na ja sake:- Kisi haadse me agar Musalmano aur Gair Muslimo ki laashe khalat malat ho jaye to agar Musalman kisi bhi alamat (Khatna Vagera) se pehchane ja sake to unko alag kar liya jaye aur unka Gusl, Kafan, Namaze Janaza aur Dafan vagera sab kaam Musalmano ki tarah kiye jaye aur Gair Muslimo ki laasho ke saath Wo maamla kiya jaye Jo Unke mazhab me kiya jata he,*
*®_Bahishti Gohar v Shaami,1/805, Aalamgiri -1/159,*

*⇛Agar Musalmano aur Gair Muslimo ke darmiyan koi fark maloom na ho sake aur kisi alamat se pata na chale k konsi laash Musalman ki he aur Konsi Gair Muslimo ki he to uski 3 soorate he'n:-*
*☞ 1- Agar Marne walo me Musalmano ki tadaad zyada ho to sab laasho ke saath wahi maamla kiya jaye Jo Musalmano ke saath kiya jata he yani baqayda Gusl, Kafan, Namaze Janaza ke baad Musalmano ke Qabristaan me Dafan kiya jaye, Lekin Janaze ki Namaz me sirf Musalmano per Namaz padhne ki Niyat ki jaye, Gair Muslimo per Namaz e Janaza ki Niyat karna Jaa'iz nahi,*
*®_Shaami,1/805 Aalamgiri-1/159,*

*☞ 2- Agar laashe Gair Muslimo ki zyada aur Musalmano ki kam ho to Sab laasho ko Gusl v Kafan diya jaye aur un per Namaze Janaza bhi sirf Musalmano ki Niyat se padhi jaye aur uske baad sabko Gairo ke Qabristaan me Dafan kar diya jaye,*
*®_ Shaami v Durre Mukhtar, 1/805,*
*"_ Ye Gusl v Kafan Musalmano ki tarah baqayda nahi hoga ( balki Yu'nhi pani se laasho ko dhokar ek ek Kapde me lapet diya jaye ),*
*®_ Fatawa Aalamgiri, 1/159,*

*☞ 3- Agar Musalmano aur Gair Muslimo ki laasho ki tadaad barabar ho to jesa ouper (2) me likha gaya he k Gusl v Kafan dekar sab per Musalmano ki Niyat se Namaze Janaza padhi jaye,"*
*⇛Albatta Maqame Dafan me Fuqha ke 3 qol he'n -1- ek ye k Sabko Musalmano ke Qabristaan me Dafan kar diya jaye, 2- doosra ye k Sabko Gairo ke Qabristaan me Dafan kar diya jaye, 3- Teesra ye k unke liye koi alag se Qabristan bana diya jaye, is teesre qaul me ahatyaat Zyada he (Lekin inme se jis qaul per bhi Amal kar liya jaye durust he)*
*®_ Durre Mukhtar, Shaami 1/805-806*
       
*☞ 14-- Jis Mayyat ka Musalman hona maloom na ho:- Kisi Mard ya Aurat ki laash mile aur kisi alamat vagera se maloom na ho k Musalman he ya gair muslim, To Jis ilaaqe se ye laash mili he waha agar Musalmano ki aksariyat he to usko Musalman samjha jaye aur Baqaayda Gusl v Kafan dekar Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye,"*
*⇛Aur Agar waha gair Muslimo ki aksariyata he ( yani tadaad zyada he ) to uske saath gair Muslim ka sa maamla kiya jaye,*
*®_ Durre Mukhtar v Aalamgiri v Bahishti Gohar ma'a Hashiya ,*

*☞ 15- Jis Mayyat ko Gusl ya Namaze Janaza ke bager hi Dafan kar diya gaya:- Agar Kisi Musalman Mayyat ko galti se Gusl diye bager ya Namaze Janaza padhe bager Qabr me rakh diya to agar mitti daalna se pehle yaad aa jaye to Mayyat ko bahar nikaal kar ,agar Gusl bhi nahi diya tha to Gusl de kar Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye ,aur agar Gusl de diya tha to sirf Namaze Janaza padh kar Dafan kar diya jaye,*
*⇛Aur agar Mitti daalne ke baad yaad aaye to Gusl ya Namaz ke liye uski Qabr kholna Jaa'iz nahi ,ab Hukm ye he k Jab tak gumane galib ye ho k laash fati na hogi, Qabr hi per Namaz padhi jaye ,*
*⇛Aur jab galib guman ye ho k laash fat chuki hogi to ab Namaze Janaza na padhi jaye ,esi soorat me qudrat ke bavjood na padhne wale gunahgar hue ,un per laazim he k Tauba v Astagfaar kare aur Aainda esi galti na kare,*
*®_ Durre Mukhtar,*

*✿_ Agar Shak ho k laash fati hogi ya nahi ?? To is soorat me bhi Qabr per Namaze Janaza nahi padhi jaye,*
*®_ Shaami ,1/827,*

              
*☞ 16 - Kisi laash ke Tukde dastyab hue:- Agar Kisi ki poori laash dastyab na ho ,jism ke kuchh hisse dastyab ho to iski chand soorte'n he'n ::---*

*✿_ Sirf haath ya Taang ya Sar ya Qamar ya Koi uzv mile to us per Gusl v Kafan aur Namaze Janaza kuchh nahi, balki kisi Kapde me lapet kar yunhi Dafan kar dena chahiye,*

*✿_ Jiske chand Mutafarrik A'aza Maslan sirf 2 Taange ya sirf 2 haath ya sirf ek haath aur ek taang ya isi tarah digar chand A'aza mile aur ye Mutafarrik A'aza mil kar Mayyat ke poore Jism ke Aadhe hisse se kam ho ,Mayyat ka aksar hissa gayab ho to un A'aza per Gusl v Kafan aur Namaze kuchh nahi yunhi kisi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*

*✿_ Agar Mayyat ke Jism ka Adha hissa bager Sar ke mile to uska bhi Gusl v Kafan aur Namaze Janaza kuchh nahi, Yunhi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*

*✿_ Agar Mayyat ke Jism ka Adha hissa ma'a sar ke mile to usko baqaayda Gusl v Kafan de kar aur Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye,*

*✿_ Agar Mayyat ke Jism ka aksar hissa mil jaye agarche bager sar ke mile to bhi baqaayda Gusl v Kafan de kar aur Namaze Janaza padh kar Dafan kiya jaye,*

*®_ Shaami ,Bahishti Gohar,*


*☞ 17– Dafan ke baad Baqi A’aza mile ho:-*
*✿_ Kisi Mayyat ke Jism ka aksar hissa mila aur baqi hissa na mila aur aksar hissa e Badan per Namaze Janaza padh kar Dafan kar diya, uske baad jism ka baqi hissa mila to ab us baqi hissa per Janaze ki Namaz nahi padhi jayegi ,Balki yunhi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*
*®_ Aalamgiri v Shaami,*

*☞ 18- Zindgi me Jism se Alhida ho Jane wale A’aza ka Hukm:-*
*✿_ Kisi Zinda Shakhs ka koi Uzv uske Badan se Kat jaye ya Operation ke Zariye Alhida kar diya jaye to uska Gusl v Kafan aur Namaze Janaza kuchh nahi ,Yunhi kisi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*
*®_ Durre Mukhtar,*

*☞ 19- Qabr se Sahi Saalim laash Baramad ho :-*
*✿_ Koi Qabr khul Jaye ya kisi vajah se laash bahar nikal aaye aur Kafan us per na ho to agar laash fat chuki he to ab Kafan ki zarurat nahi yunhi Kapde me lapet kar Dafan kar diya jaye,*
*⇛Aur agar Laash fati na ho to Poora Kafan Sunnat ke mutabiq dena chahiye, iska poora kharch usi Mayyat ke asal Tarka se liya jayega ,agar uska Tarka Wariso me taqseem ho gaya tha to har Waaris ko jitna jitna fi sadi hissa miraas me mila tha ,Kafan ka kharch bhi isi tarah har waaris per aayega,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami ,*

*☞ 20- Daku ya Bagi Ladaai me Qatl ho jaye ya Wo doosro ko Qatl kar de :-*
*✿_ Agar Daku ya Bagi ladaai ke dauran Qatl ho jaye to unki Ahanat aur Doosro ki ibrat ke liye Hukm ye he k unko Gusl na diya jaye ,na unki Namaze Janaza padhi Jaye balki yunhi dafna diya jaye ,Lekin agar ladaai ke baad Qatl kiye gaye ya ladaai ke baad apni maut se mar jaye to fir unko Gusl v Kafan diya jayega aur Namaze Janaza bhi padhi jayegi,*
*⇛Yahi hukm un logo ka he Jo Qabaili ,Watani ya Lisani ta’assub ke liye ladte hue maare jaye,*
*⇛Aur Agar Daku ya Bagi Dakazani ya ladaai ke dauran kisi ko Qatl kar de to Wo ( Jisko Qatl kiya gaya ) Shaheed he ,Bager Gusl v Kafan ke Sirf Namaze Janaza padh kar Dafan kar diya jaye,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami ,1/814,*

          *╂───────────╂*
       *╠☞_ Maut Ki iddat –,*

*✿_ Shohar ka inteqal ho jaye ya Talaaq ho jaye ya Khula vagera ya kisi aur tarah se Nikaah toot Jaye to in sab soorto me Aurat ko muqarrar muddat tak ek ghar me rehna padta he, Jab tak ye muddat khatm na ho jaye us waqt tak kahi aur Jana Jaa’iz nahi ,is muddat guzaarne ko ” iddat ” kehte he ,is Muddat me kisi aur Mard se Nikaah bhi nahi kar sakti, agar kar liya to Wo Nikaah baatil he ,mun’aqd hi nahi hua,*
*®_ Bahishti Zever, islahi inqlabe Ummat ,*

*✿_ Jis Aurat ke Shohar ka inteqal ho jaye Wo 4 mahine 10 din tak iddat me rahe ,Shohar ke inteqal ke waqt jis ghar me raha karti thi usi ghar me rehna chahiye, bahar nikalna durust nahi,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿ _Shohar ki zindgi me uske saath Aurat ki mubashrat ( hambistari ) ya kisi qism ki tanhaai ( khilwat ) hui ho ya nahi hui ho ,Rukhsati hui ho ya na hui ho aur Chahe mahwari aati ho ya nahi aati ho ,Budhi ho ya JaWan ,Baliga ho ya Nabaliga sabka hukm ye he k 4 mahine 10 din iddat me rahe ,*

*⇛Albatta agar Wo Aurat Hamal se thi ,isi haalat me Shohar ka inteqal hua to Bachcha paida hone tak iddat rahegi ab mahino ka kuchh aitbaar nahi agar Shohar ki maut ke thodi der baad hi Bachcha paida ho gaya tab bhi iddat khatm ho gayi,*
*®_ Bahishti Zever, Aalamgiri, imdadul Fatawa ,*

*✿_ Ghar bhar me Jaha ji chahe rahe ,Baaz gharano me Jo Rasm he k khaas ek jagah muqarrar karke rehti he, Bechari ko us jagah se hatna ayb aur bura samjha jata he ye bilkul wahiyaat aur galat he ,Ye Rasm chhodna chahiye,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Aurat Ghar se bahar kisi kaam ke liye kahi gayi thi ( shohar Saath ho ya na ho ) itne me uske Shohar ka inteqal ho gaya to ab foran waha se chali aaye aur jis ghar me rehti thi usi me rahe, Shohar ka inteqal chahe kisi bhi jagah hua ho,*
*®_ Bahishti Zever, imdadul Fatawa, 2/442 ,427,*

*✿_ Jis Aurat ko naraaz hokar maayke bhej diya ho, fir Shohar ka inteqal ho jaye to wo Shohar ke ghar aakar iddat poori kare, kyuki iddat us ghar me poori ki jati he jaha Shohar ke inteqal per Aurat ko mustaqil rihaaish thi ,aarzi rihaaish ka aitbaar nahi ,aur Zahir he k Maayke me aana aarzi tha,*
*®_ imdadul Fatawa, 2/427,*

*✿_ Agar Shohar ka inteqal chand ki pehli tareekh ko huva aur Aurat ko Hamal nahi he to Chand ke hisaab se 4 mahine 10 din poore karna ho'nge aur agar pehli tareekh ke alawa kisi aur tareekh me inteqal huva to har Mahine 30 – 30 din ka lagakar 4 mahine 10 din poore karna honge,( Yani poore 130 din ) aur Jis waqt Wafaat hui jab ye Muddat guzar kar wahi waqt aayega iddat khatm ho jayegi,*
*®_ Bahishti Zever v Ma’arful Qur'an,*

*✿_ iddat Shohar ki Wafaat se shuru ho jati he ,agar che Aurat ko Wafaat ki khabar na ho aur usne iddat ki Niyat bhi na ki ho,*
*®_Durre Mukhtar,*

*✿_ Kisi ke Shohar ka inteqal ho gaya magar usko khabar nahi mili ,4 mahine 10 din guzar Jane ke baad khabar mili to uski iddat poori ho chuki, yani jab se khabar mili us waqt se Az sareno iddat nahi guzari jayegi,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Kisi Aurat ko Shohar ke inteqal ki khabar kai din baad mili ,magar tareekhe Wafaat me shak he to Jis tareekh ka yaqeen ho iddat us tareekh se shumar ki jayegi,*
*®_ Shaami ,2/838,*

*✿ _Baaz Logo'n me ye dastoor he k Shohar ki maut ke baad Aurat Saal bhar tak iddat ke tor per bethi rehti he ,ye bilkul haraam he,*
*®_Bahishti Zever ,*

          *╂───────────╂*
         *╠☞_ Iddat ke Masail –*
*☞ 1- Zamana e iddat me Aurat ka Naan Nafqa:-*
*✿_ iddate Wafaat me Aurat ka Naan Nafqa ( Khana Kapda ) aur Rihaaish ka Makaan uski sasural ke zimme nahi, Shohar ke Tarke me se bhi Naan Nafqa lene ka haq nahi ,Albatta Tarke me Jo hissa miraase Shariyat ne muqarrar kiya he Wo usko milega,*
*®_ Bahishti Zever,*

*☞ 2- Haamla ki iddat aur isqaate Hamal:-*
*✿_ Haamla Aurat ki iddat Bachcha paida hone se khatm hoti he ,lekin agar Hamal gir jaye yani isqaate Hamal ho jaye to isme ye tafseel he k agar Hamal ka koi uzv Maslan moonh ,Naak ya ungli vagera ban gaya tha tab to iddat khatm ho gayi aur agar koi uzv bilkul na bana tha sirf lothda ya Gosht ka Tukda tha ,to isse iddat khatm na hogi balki YU samjha jayega k ye Aurat Hamal se nahi thi ,lihaza uski iddat 4 mahine 10 din hi hogi,*
*⇛Agar kisi Haamla ke pet me 2 Bachche the ek paida ho gaya ,doosra baqi he to jab tak doosra Bachcha bhi paida na ho iddat khatm na hogi ,*
*®_ Shaami ,2/831,*

*☞ 3 – iddate Talaaq me Shohar ka inteqal ho jaye :-*
*" _Jis Aurat ko Shohar ne kisi bhi qism ki Talaaq di ho ya Khula huva ho ya kisi aur tarah se Nikaah toot gaya ho ,fir iddate Talaaq khatm ho Jane ke baad us saabiq Shohar ka inteqal ho jaye to ab maut ki vajah se Aurat per koi iddat waajib nahi aur Wo uski Vaaris bhi nahi,*
*®_ Shaami ,2/833,*

*⇛ Aur agar Shohar ka inteqal iddate Talaaq khatm hone se pehle ho gaya to isme tafseel ye he ::–*
*✿ _1- Agar Shohar ne Talaaq e Rujui di thi ,chahe apni bimari me di ho ya tandurasti me ,to ab iddate Talaaq ko wahi chhod kar inteqal ke waqt se az sareno sire se iddate Wafaat guzaregi aur Shohar ki Vaaris bhi hogi,*

*✿ _2- Agar Talaaq Baa’in di thi aur Talaaq ke waqt Shohar tandurast tha, chahe Talaaq Aurat ki marzi se di ho ya marzi ke bager ,fir iddate Talaaq khatm hone se pehle Shohar ka inteqal ho gaya ,to ab Aurat sirf iddate Talaaq hi jitni baqi reh gayi ho Wo poori karegi ,iddate Wafaat nahi guzaregi aur Shohar ki Vaaris bhi nahi hogi,*

*✿_ 3- Agar Talaaq e Baa’in ke waqt Shohar bimaar tha aur Talaaq Aurat ki marzi se di thi to is soorat me bhi wahi Hukm he Jo ouper bayan huva k Aurat Sirf iddate Talaaq hi jitni reh gayi Wo poori karegi ,iddate Wafaat nahi guzaregi aur Shohar ki Vaaris bhi nahi hogi,*
*®_ Shaami v Hidaya ,*

*✿_ 4- Agar Talaaqe Baa’in Shohar ne apni bimari me Aurat ki marzi ke bager di thi to is soorat me dekha jaye k Talaaq ki iddat poori hone me zyada din lagenge ya Maut ki iddat poori hone me,, jis iddat me Zyada din lagenge Aurat Wo iddat poori karegi aur Shohar ki Vaaris hogi,*
*®_ Shaami ,2/832, Bahishti Zever,*

          *╂───────────╂*
  *╠☞_ Wo Kaam Jo iddat me Jaa’iz nahi,*

*✿ _Jis Aurat Ke Shohar ka inteqal huva ho uske liye Hukm ye he k iddat ke zamane me na to ghar se bahar nikle ,na apna doosra Nikaah kare ,na kuchh banaav singaar kare,*
*⇛iddat me ye sab baate us per Haraam he ,*
*®_ Bahishti Zever,*

*☞ Iddat me sog waajib he,*
*✿_ Sog karna usi Aurat per waajib he Jo Musalman Aaqil v Baalig ho ,Kaafir ya Majnun Aurat ya Na-baalig ladki per waajib nahi ,unko banaav singaar karna Jaa’iz he, Albatta ghar se nikalna aur Doosra Nikaah karna unko bhi durust nahi ,*
*⇛ Jiska Nikaah sahi nahi huva tha ,be qaayda ho gaya tha fir esi Aurat ka Mard mar gaya to esi Aurat ko bhi Sog karna waajib nahi,*
*⇛jo Aurat iddate Wafaat me ho use saaf lafzo me paigame Nikaah dena ya usse mangni karna Haraam he,*

*✿_ Jab tak iddat khatm na ho us waqt tak Khushbu lagana ,Kapde ya Badan me Khushbu basana, Zever Gehna pehanna, Fool pehanna Choodiya’n pehanna, Surma lagana, Paan khana ,Sar me Tel daalna ,Kanghi karna, Mehndi lagana, Reshmi aur Range hue naye kapde pehanna ye sab baate Haraam he,*

*✿_ Sar dhona aur Nahana iddat me Jaa’iz he, Zarurat ke waqt Kanghi karna bhi durust he Jese kisi ne sar dhoya ya Ju pad gayi ,lekin patti na jhukaye na bareek Kanghi se Kanghi kare, jisme Baal Chipke hue jate he’n ,balki mote Dandane wali Kanghi kare k zeenat na hone paye,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Jis Aurat ke paas saare hi kapde ese ho jinse Zeenat hoti he ,Mamooli kapde bilkul na ho use chahiye k Mamooli kapde kahi se Haasil karke pehne ,chahe iske liye apne badhiya kapde Farokht karna pade ,aur Jab tak Wo Haasil ho wahi Zeenat wale kapde pehti rahe ,magar Zeenat ki niyat na kare,*
*®_ Shaami ,115,*

*✿_ iddat guzar Jane ke baad ye sab pabandiya khatm ho jati he’n, Doosra Nikaah bhi kar sakti he,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Shohar ke alawa kisi aur ki maut per Sog karna Jaa’iz nahi ,Albatta agar Shohar mana na kare to apne Azeez aur Rishtedar ke marne per bhi 3 din tak banaav singaar chhor dene durust he ,isse zyada bilkul haraam he ,*
*⇛Aur agar Shohar mana kare to 3 din bhi na chhore ,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k kisi momin ke liye ye Jaa’iz nahi k teen din se zyada kisi ka sog manaye ,Sivae Beva ke k ( Shohar ki maut per ) uske sog ki muddat ( jabki Wo Hamal se na ho ) Chaar Mahine das din he,*
*®_ Tirmizi v Bukhari,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ ilaaj ke Tor per Zeenat ki cheeze istemal karna:-*

*✿_ Sar me dard ho ya Ju pad jane ki vajah se Tel daalne ki zarurat pade to jisme Khushbu na ho wo Tel daalna durust he,*
*®_ Bahishti Zever v imdadul Fatawa, 2/450,*

*⇛ Jis Aurat ko sar me Tel daalne ki esi aadat ho k na daalne se zane gaalib ye he k Dard ho jayega, wo bhi bager khushbu ka Tel dard ke Khof se daal sakti he, agarche Abhi Dard shuru na huva ho,*
*®_ Hidaya, v Aalamgiri,*

*✿_ Dava ke liye Surma lagana bhi Zarurat ke waqt durust he, lekin Raat ko lagaye aur Din ko ponchh dale,*
*®_ Bahishti Zever,*

*✿_ Resham ka kapda agar Kharish vagera ke ilaaj ke tor per pehanne ki zarurat pad jaye to usko bhi gunzaish he, fir bhi Zeenat ke iraade se na pehne,*
*®_ Hidaya,, Jild -2,*

          *╂───────────╂*
        *╠☞_Majboori me Ghar se Nikalna,*

*✿ _Shohar ke inteqal ke waqt jis Ghar me Aurat mustaqil ( yani jis ghar ko uske rehne ka ghar samjha jata he ) Rihaaish thi usi ghar me iddat poori karna wajib he, bahar nikalna jaa’iz nahi, albatta agar wo itni gareeb he k uske paas guzaare ke muwafiq kharch nahi to use mulazmat ( service) ya mazdoori ke liye Parde ke saath bahar nikalna din me Jaa’iz he, lekin Raat ko apne ghar me raha kare,*
*⇛ Aur Din me bhi Kaam se faarig hote hi wapas aa jaye, mazeed waqt ghar se bahar guzaarna jaa’iz nahi,*
*®_ Bahishti Zever, imdadul Fatawa, Shaami,*

*✿_ iddat me Safar bhi Jaa’iz nahi Chahe Hajj ka safar ho ya gair Hajj ka,*
*®_ imdadul Fatawa, 2/428,*

*✿_ Iddat me agar Beva ki mulazmat, mazdoori esi he k usme Raat ka bhi kuchh hissa kharch ho jata he to ye bhi Jaa’iz he, lekin Raat ka aksar hissa apne hi ghar me guzaarna chahiye,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami,*

*✿_ Jis Beva ke paas iddat me guzaarne ke liye Kharch mojood ho use Din me bhi ghar se nikalna jaa’iz nahi,*
*®_ Durre Mukhtar, 2/854,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ iddat me majburan Safar karna Pade,*

*✿_ Jis Aurat ko koi Zary Zameen, Baag, Jaaydaad ya tijarat esi ho k uske intezam aur durustgi ke liye khaas usi ka Jana zaruri ho koi aur shakhs esa nahi ho Jo iddat me ye kaam kar de to esi majboori me bhi ghar se nikalna Parde ke saath jaa’iz he, lekin Raat apne hi ghar me guzaare aur is kaam se faarig hote hi ghar wapas aa jaye,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami,*

*✿_ iddate wafaat me agar Aurat Bimaar ho aur ghar per ilaaj karne wale ko bulana ya ilaaj karana mumkin na ho to Mu’alij ke paas Jana ya Majboori me Haspataal Jana bhi Jaa’iz he,*
*⇛ Agar ilaaj ya tashkees us Basti me mumkin na ho to is garz se doosre Shehar Jana bhi jitne Din ke liye Zaroori ho jaa’iz he, lekin wo doosra Shehar musafate Safar per ho to Mahram ka saath hona zaroori he,*
*®_imdadul fatawa, 2/428,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_iddat me majburan Doosra Ghar Muntaqil karna:-*

*✿_ Shohar ke inteqal ke waqt jis ghar me raha karti thi agar Wo Kiraye ka Makaan tha aur agar Kiraaya ada karne ki qudrat he to kiraaya deti rahe aur iddat khatm hone tak wahi rahe ,*
*⇛Aur agar Kiraaya dene ki Qudrat nahi to waha se qareeb tareen jagah jaha uski rihaaish ,jaan v maal aur aabru ki Hifazat aur Parda ke saath mumkin ho muntaqil ho jaye ,bila zarurat doosre ke Makaan me muntaqil na ho ,jis ghar me muntaqil ho baqiya iddat wahi guzaare,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami ,2/854,*

*✿_ Shohar ke inteqal ke waqt jis ghar me raha karti thi agar WO Shohar ki milkiyat THA magar ab Vaariso me taqseem ho gaya aur Beva ke hisse miraas me jitna Makaan aaya Wo Rihaaish ke liye kaafi nahi aur baqiya Vaaris apne hisse me use rehne nahi dete ya kaafi to he magar Jin logo se use Shar’an Parda karna chahiye Wo bhi wahi rehte he’n aur Parda karne nahi dete to is soorat me bhi Wo kisi qareeb tareen Makaan me Jo jaan v maal ,Abru aur parda ki Hifazat ke saath Rihaaish ke liye kaafi ho ,muntaqil ho sakti he ,Baqi iddat waha guzaare,*
*®_Durre Mukhtar v Shaami v Hidaya,*

*✿_ Iddat ka Makaan agar Gir jaye ya girne ka khof ho ya waha Abru ,Jaan maal ya Sahat ke takalluf ho Jane ka qavi andesha ho ya jin logo se Shar’an Parda hona chahiye waha unse Parda mumkin na ho to in sab soorto me bhi Aurat us Makaan se muntaqil ho sakti he,*
*®_ imdadul Fatawa, Shaami ,Durre Mukhtar,*

*✿_ iddat ke Makaan me Aurat agar Tanha darti he aur koi Qabile itminaan Shakhs saath rehne wala nahi to agar dar itna shadeed ho k bardasht nahi kar sakti to is soorat me bhi us Makaan se Rihaaish muntaqil kar sakti he ,Aur Dar itna shadeed na ho to muntaqil hona jaa’iz nahi,*
*⇛isi tarah agar iddat ka Makaan Aaseb Zada ho aur Aurat Aaseb se itna darti ho k bardasht nahi hota ya Aaseb ka koi khula huva zarar he to is soorat me bhi doosre Makaan me muntaqil karna jaa’iz he ,varna jaa’iz nahi,*
*®_ imdadul Fatawa, 2/443,*

*✿_ Ouper jin Masail me ghar se Muntaqil hone ko jaa’iz likha he un sabme ye zaroori he k Aurat waha se ese qareeb tareen Makaan me muntaqil ho ,Jaha uski Rihaaish Jaan maal v Aabru aur Parda ki Hifazat ke saath ho sake, bila zarurat doosre Makaan me muntaqil na ho aur jis ghar me muntaqil ho baqiya iddat wahi guzaare ,ab is ghar ka wahi hukm hoga Jo Asal ghar ka tha k yaha se majboori ke bager nikalna jaa’iz nahi,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami, 2/854,*

          *╂───────────╂*
*╠☞ Aapas ki na chaqi ( ladaai Jhagda ) uzr nahi ,*

*✿_ Agar Aurat aur Saas me Sakht na chaqi ho k saath rehna mushkil he to sirf is vajah se doosre ghar me muntaqil hona jaa’iz nahi ,na chaqi se agarche takleef to zaroor hogi lekin ye esi takleef nahi jise iddat me bardasht na kiya ja sake,*
*®_ imdadul Fatawa, 2/448,*

*☞ - Shohar ke inteqal ke waqt Aurat Safar me ho to iddat kaha guzaare ??*

*✿_ Shohar ke inteqal ke waqt agar Aurat safar me ho to mukhtalif soorto me Sharai hukm alag alag he ,jiski tafseel ye he ::—*

*⇛1- Agar Shohar ke inteqal ke waqt ( ya inteqal ki khabar ke waqt) Raaste hi me kahi thi ,chahe kisi Basti me ho ya gair abaad jagah me ,to DEKHe k Yaha se uski apni Basti kitne faasle per he ? Agar faasla ” Musafate Safar ” se kam ho to foran apni Basti me wapas AAA jaye chahe koi Mahram Saath ho ya na ho ,aur chahe Wo Basti jaha Jane ke liye safar kiya tha Wo ” musafate safar ” per ho ya usse kam musafat per,*
*®_ Hidaya ,Fatahul Qadeer ,Durre Mukhtar, Shaami ,2/856,*

*✿_ 2- Aur agar waha se apni Basti musafate safar per he aur manzile Maqsood usse kam musafat per ho to Safar Jari rakhe aur manzile Maqsood per pahunch kar wahi iddat poori kare, Mahram saath ho ya na ho,*
*®_ Durre Mukhtar, Shaami,*

*⇛Albatta baaz fuqha e Hanafiya ne farmaya k Jab manzile Maqsood bhi musafate safar se kam per ho to Aurat ko akhtyar he chahe waha jakar iddat poori kare ya Apni Basti me wapas aakar lekin unke nazdeek bhi behtar yahi he k Apni Basti me wapas aa jaye,*
*®_ Shaami ,2/ 856,*

*✿ 3- Aur agar waha se dono Bastiya’n musafate safar per ho to agar Wo jagah gair abaad he to akhtyar he chahe apni Basti me wapas aa jaye ya manzile Maqsood per pahunch kar iddat poori kare, lekin apni Basti me wapas aa Jana zyada behtar he ,chahe koi Mahram Saath ho ya na ho,*
*⇛albatta agar apni Basti ya manzile Maqsood ke raaste me koi esi Basti ho jaha jaan maal aur Aabru ki Hifazat ke saath qayam ho sakta he ya Shohar ke inteqal ke waqt hi Wo esi Basti me thi to wahi reh kar iddat poori kare, chahe Mahram Saath ho ya na ho,*
*®_ Durre Mukhtar, Shaami, Hidaya ,Fatahul Qadeer,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Iddat me Kotahiya’n aur Galat Rasme’n-:-*

*✿_ Aaj kal is zamane me Magrib ki pervi ki ek laanat ye bhi he k Beva aur Wo jinki Talaaq ho gayi ho iddat me nahi beth ti ,Khule aam ghar se bahar nikalna ,Bazar Jana aur Shadi vagera digar takribaat me shirkat karna hota rehta he aur is Shar’ai hukm ki koi parvaah nahi ki jati ,ye sakht galat aur Gunaah e Kabira he ,isse Tauba kare aur iddat me bethne ke Hukm ki ta’ameel kare,*

*✿_isi tarah aur bhi bahut si kotahiya’n aur galat rasme’n Aaj kal iddat me aur iddat ke baad ijaad ho gayi he’n jinse bachna zaroori he ,Yaha unme se khaas khaas likhi jati he’n ,::—*

*☞ 1- Shohar ke inteqal per Beva ki Choodiya’n todna:-*
*✿_ Iddat me Choodiya’n chahe kaanch ki ho pehanna jaa’iz nahi ,lekin Aurto’n me Jo Rasm he k Shohar ke inteqal per Beva ki Choodiya’n utaarne ke bajaye Tod daalti he’n ,ya Wo khud hi Tod daalti he ,*
*⇛Ye gair muslimo ki Rasm he aur Maali nuqsaan hone ki vajah se israaf bhi he, lihaza Todi na jaye balki utaar li jaye ,taki iddat ke baad pehan sake, agar utaarne me kuchh takleef aur dushwari ho to majboori me todi ja sakti he,*
*®_ imdadul Fatawa, 2/ 451,*

*☞ 2- Bila Uzr iddat me nikalna:-*
*✿_ Baaz Aurte’n iddat me to beth jati he’n lekin Mamooli uzr pesh aane per ghar se bahar nikal jati he ,Ghar me Mardo’n ke hote have bhi digar kaamo ke liye ,,iski tamaam tafseel pichhe guzar chuki he ,koi aur Uzr pesh aa jaye aur bahar nikalna zaroori ho to Mo’atbar ulma se Masla daryaft kar le ,Wo ijazat de to nikle varna nahi,*

*✿—-Baaz na waqif hazraat ye samajhte he k agar Beva bager kisi uzr ke ghar se bahar aa jaye to Az Sare no ( dobara shuru se ) iddat waajib ho gayi ,pehli iddat toot gayi ,Ye bilkul galat baat he ,is tarah iddat NAHI toot to Albatta bila uzre Sharai iddat me ghar se nikalna jaa’iz nahi ,bada Gunaah he,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat ,*


*☞ 3- iddat me Zebo Zeenat ki Cheeze istemal karna:-*

*✿_ Baaz Aurte’n iddat me banaav singaar ki cheeze karti he’n aur kuchh khayal nahi karti k esa karna jaa’iz nahi, halanki iddat me Makeup, Tail, Khushbu, Banaav singaar, Kanghi, Surma Surkhi, Mehndi, Badakdaar Kapde aur Araaish v Zebaish ki ki tamaam cheeze istemal karna Haram he,*

*☞ 4- iddat me Nikaah ya Mangni karna:-*

*✿ _Ek kotahi aam tor per ye hoti he k Baaz log iddat ke Andar hi Beva se Nikaah kar lete he ,iddat poori hone ka intezar nahi karte,*
*⇛ Yaad rakhna chahiye k iddat ke Andar Nikaah jaa’iz nahi, Agar kar liya to mun’aqd nahi hoga ,Balki iddat me to Mangni karna aur khule alfaz me paigam e Nikaah dena bhi jaa’iz nahi, Qurane Kareem me iski muma’anat aayi he,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat ,2/62,*

*☞ 5- iddat me ahatyatan kuchh din badhana,*

*✿_ Ek aam galti ye he k Agar Beva ki iddat 4 mahine 10 din he usme agar ek ya do mahine 29 ke ho to us kami ke badle me 10 din iddat me aur badha dete he’n ,Ye galat he ,iddat ka hisaab khoob yaad rakhna chahiye,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat,*

*☞ 6- iddat se nikalne ke liye Aurto’n ka ikattha hona,*

*✿_ Jab koi Aurat Beva ho jaye to uske Khatme iddat ki Rasm ki jati he aur Bahut si Aurte’n ikatthi ho jati he k iddat se nikaalne aayi he’n, aur baaz Aurte’n ye zaroori samajhti he k iddat se nikalne ke liye iddat wale ghar se nikal kar doosre ghar jaye ,aur iska bada agatmam kiya jata he,*
*"_Ye Dono baate galat he’n, Beva ke iddat ke Jab 4 Mahine 10 Din guzar jaye ya Vaza e Hamal ho jaye to WO iddat se khud ba khud nikal jati he, Chahe usi ghar me rahe,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat,*

*☞ 7- Beva ke Nikaah ki ayb samajhna:-*
*✿_ Ek badi kharaabi Jo Hinduo’n ki Jahilana Rasm he aur Bahut se Muslim Khandano me aa gayi he ,Ye he k Baaz Beva Aurto’n aur Jinka Talaaq ho gayi ho Wo iddat ke baad bhi Nikaahe Saani ko ayb samajhti he,*
*⇛Halanki Qurane Kareem ne iddat ke baad Nikaah ki targeeb dilayi he aur Jo log isko rokte ho un per Zor andaz me tambeeh farmayi he ,k hargiz unko Nikaahe saani se na roke‘n ,*

*✿_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaje mutahraat bhi Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ke Siva koi Kunwari na thi ,balki inme se aksar Beva aur Baaz mutlaqa thi ,Sahaba kiram Raziyallahu Anhum bhi is per Amal pera rahe,*
*⇛Esa Mubarak Amal jiski Qurane Kareem ne targeeb di ho ,Jis per Aap Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne musalsal Amal farmaya ho, Use ayb samajhna Sakht Jahalat he, Khatarnak Gumrahi he, Baaz Aurte’n to is maamle me esi Baate Zaban se Keh daalti he’n Jo Kufr ki Had tak pahunch Jati he,*

*✿_ Baaz Aurte’n Ayb to nahi samajhti lekin Be-Nikaah rehne ko Zyada izzat ki baat samajhti he’n, Ye bhi gumrahi he Jo Kufr to nahi magar uske qareeb he ,Varna Kamil musalman kya vajah he k khilafe Sunnat ko Zyada aizaaz ka Sabab samjhe,*

*✿_ Baaz Aurte’n Nikaah karna bhi chahti he’n to Khandan ke log use rokte he’n aur aar dilate he”n Yaad rakhna chahiye k unhe Nikaah se rokna ya aar dilana sakht Gunaah aur Haraam he ,*

*✿_ Masla: Jo Beva is khof se k Bachche Zaay ho jayenge ,ya is vajah se k koi use Qubool nahi karta Nikaahe Saani nahi karti ,Wo mazoor he Balki Bachcho ke zaay ho Jane ke khof se Nikaah na karna to Baa’ise Ajro Sawab bhi he ,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat, 2/42,*

*✿_ Agar Tabiyat me Nikaah ka taqaza he aur Nikaah ki qudrat bhi he aur Shohar ke huqooq bhi ada kar sakti he to Nikaah karna Waajib he na karne se Gunaah hoga ,*
*⇨Aur agar taqaza ( Khwahish ) bahut Zyada he k Nikaah kiye bager Haraam me mubtila hone ka andesha he to Nikaah karna Farz he ,*
*⇨Agar tabiyat me Nikaah ka taqaza to nahi lekin Shohar ke huqooq ada karne ki Qudrat he to is soorat me Nikaah karna Sunnat he ,qudrat nahi to mamnu’a he ,*
*®_ iyzaa ,39-40,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Tarka Aur Uski Taqseem,*

*✿_ Marne wala inteqal ke waqt apni milkiyat me Jo kuchh Maal v Jaaydad, Naqad Rupiya, Zevraat, Kapde aur kisi bhi Tarah ka Chhota bada samaan chhod ta he ,Chahe Sooi Dhaga hi ho, Shariyat me ye sab uska ” Tarka ” he,*
*⇛inteqal ke waqt uske Badan per Jo Kapde ho Wo bhi usme dakhil he, Neez Mayyat ka Jo Qarz kisi ke zimme reh gaya ho aur Mayyat ki Wafaat ke baad vasool huva ho Wo bhi uske ” Tarka ” me dakhil he,*

*✿_ Mayyat ke Kul Tarke me tarteeb var 4 huqooq waajib he, unko Sharai Qayde ke mutabiq theek theek ada karna Vaariso ki Aham Zimmedari he, Yaha'n tak k agar Mayyat ki Jeb me Ek ilaaychi bhi padi hui he to kisi Shakhs ko ye jaa’iz nahi k Sab Haqdaaro ki ijazat ke bager usko moonh me daal le ,Kyuki Wo ek Aadmi ka hissa nahi,*

*☞ Chaar Huqooq Ye he’n:-*
*"_1- Tajheez v Takfeen,*
*"_2- Den aur Qarz ,agar Mayyat ke Zimme kisi ka reh gaya ho,*
*"_3- Jaa’iz Vasiyat agar Mayyat ne ki ho,*
*"_4- Vaariso per Miraas ki Taqseem,*

*✿_ Yani Tarka me sabse pehle Tajheez v Takfeen aur Tadfeen ke masarif ada kiye jaye , fir agar kuchh Tarka bache to Mayyat ke zimme Jin logo ke Qarze ho Wo sab Ada kiye jaye,*
*⇛Fir agar uske baad kuchh Tarka baqi rahe to uske ek Tihaai ki had tak Mayyat ki Jaa’iz Vasiyat per Amal kiya jaye aur Baqiya do tihaai bator miraas sab Vaariso me Sharai his so ke mutabiq taqseem kiya jaye,*

*✿_ Agar Mayyat ke Zimme na koi Qarz tha ,Na usne Tarka ke Mutalliq koi Vasiyat ki to Tajheez v Takfeen aur Tadfeen ke baad Jo Tarka bache Wo Sab ka Sab Vaariso ka he Jo Shariyat ke muqarrar Karda hisso ke mutabiq unme taqseem hoga,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Wo Cheeze Jo Tarka me dakhil nahi ,*

*★_ Mayyat ke paas Jo cheeze esi thi k Shar’an Wo unka Maalik na tha, agar che Wo bila takalluf unko maliko ki tarah istemal karta raha ho, Wo uske Tarke me dakhil na hongi ,esi sab cheeze unke asal haqdaar ko wapas ki jaye, Tajheez v Takfeen Vagera me unka kharch karna Jaa’iz nahi,*

*✿._ Maslan ⇛1- Jo cheeze Mayyat ne kisi se aariyat (Aarzi tor per maangi ho) li thi, ya kisi ne uske paas Amanat rakh di thi ,Wo Tarka me dakhil na hongi, esi sab Cheezo ko unke maliko ko wapas ki jaye,*
*⇛2- Agar Mayyat ne kisi ki koi cheez Zabardasti ya Chori ya Khayanat karke rakh li thi to Wo bhi Tarka me dakhil nahi, uske Maalik ki wapas ki jaye,*
*⇛3- Agar Mayyat ne marzul Maut se pehle apni koi cheez hiba kar di yani kisi ko Tohfa ya Hadiya me de di thi aur us per lene wale ka Qabza bhi kara diya tha Wo cheez Mayyat ki milk se nikal gayi aur lene wala uska Malik ho gaya, lihaza Mayyat ke inteqal ke baad Wo uske Tarka me dakhil nahi hogi ,*

*⇛Lekin agar Sirf Zabani ya tehriri tor per kaha tha k ,” Ye cheez tumko deta hu ,” ya ,” Me’ne ye cheez tumhe Hiba kar di he ,” aur Qabza nahi karwaya tha to uske kehne ya likhne ka koi aitbaar nahi, Ye na Hiba he ,na Vasiyat, balki ye cheez Mayyat hi ki milk me rahegi aur Mayyat ke inteqal ke baad uske Tarka me dakhil hogi,*

*⇛Aur agar Marzul Maut me di thi aur uska Qabza bhi kara diya tha, Ye dena Vasiyat ke Hukm me he, Lihaza ye cheez Tarka me Shumar hogi ,aur Tajheez v Takfeen aur Qarzo ki adaygi ke baad jin shara’it ke saath doosri Vasiyato per Amal hota he is per bhi hoga,*
*🗂️ Bahishti Zever, Mufidul Variseen, Shaami ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Maut ke Baad Vasool hone Wali pension bhi Tarka me Dakhil nahi,*

*✿_ Pension jab tak Vasool na ho jaye Milk me dakhil nahi hoti ,Lihaza Mayyat ki pension ki jitni Raqam uski maut ke baad vasool ho Wo Tarka me Shumar na hogi ,kyuki Tarka Wo hota he Jo Mayyat ki Wafaat ke waqt uski milkiyat me ho aur ye Raqam uski Wafaat tak uski milkiyat me nahi aayi thi,*

*⇛Lihaza Tarka me Jo huqooq waajib he Wo is Raqam me waajib nahi honge ,aur miraas bhi isme jari na hogi ,Albatta hukumat (ya Wo company jisse pension mili he) Jisko ye Raqam degi wahi iska Maalik ho jayega, kyuki ye ek qism ka inaam he tankhwah ya ujrat nahi, Lihaza Hukumat ya company agar ye Raqam agar kisi ek Rishtedar ko de to wahi uska Tanha Maalik hoga aur agar sab vaariso ke waaste de to sab Vaaris Aapas me taqseem kar lenge,*
*®_ Ba-hawala—Durre Mukhtar, 5/603,*

*✿_ Har maah Tankhwah me se Vaza ( kaate gaye ) hue Provident Fund Jo k maut ya Retirement hone per diye jate he’n, Pension ke is hukm me dakhil nahi he ,unka hukm mo’atbar Ulma se daryaft karke AMAL kiya jaye,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Mayyat ke baaz Amlaak bhi Tarka me dakhil nahi hote,*

*✿_ Baaz mutaiyan cheeze jinki zaat hi ke saath kisi aur Shakhs ka haq wabasta ho Wo Mayyat ki Milk me hone ke bavjood Tarka me dakhil nahi hoti, iski 2 misale yaha zikr ki jati he:-*

*✿_ 1- Jo Cheeze Mayyat ne kharid li thi lekin Qeemat ada nahi ki thi aur na hi us cheez per Qabza kiya tha ,balki Farokht karne wale hi ke paas mojood thi aur Mayyat ne iske Siva koi maal bhi nahi chhora ( Jisse Tajheez v Takfeen ka kharch ada karne ke baad Wo Qeemat ada ki ja sake ) to Wo cheez Tarka me dakhil nahi hogi,*

*✿ 2- isi tarah Jo cheez Mayyat ne Qarz ke badle me Rehan ( Girvi ) kar di thi aur us Qarz ki adaaygi ke liye koi maal bhi nahi chhora to Wo bhi agarche Mayyat ki milk thi magar uske Tarka me dakhil nahi hogi,*

*⇛Yani jab Mayyat ne kuchh maal hi nahi chhora to Wo farokht karne wala jisne apni cheez ki Qeemat nahi payi aur Wo qarzkhwah jiska Qarz abhi vasool nahi huva un Cheezo ko Jo unke Qabze me mojood he Farokht karke sabse pehle apna haq le sakta he ,unka haq ada ho Jane ke baad agar kuchh baqi rahe to Wo Tarka samjha jayega aur usme Tajheez v Takfeen, Qarz v Vasiyat aur miraas qayde ke mutabiq jari honge aur agar kuchh baqi na rahe to Azeez Rishtedar Apne paas se Tajheez v Takfeen kare,*
*®_ Durre Mukhtar, Shaami ,Mufidul Variseen,*

*⇛Humne yaha sirf 2 misale zikr ki he agar inse milti julti koi aur soorte’n pesh aaye k Mayyat ki kisi khaas aur mutaiyan mamlook cheez me doosre ka haq laga ho to Mo’atbar Ulma se poochh kar AMAL kiya jaye ,kyuki Zara se fark se (Jise har Aadmi nahi samajh sakta) hukm badal jata he ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Jo Cheeze Zindgi me kisi ke liye Khaas kar di ho Wo Tarka me dakhil he,*

*✿_ Agar kisi ne Zindgi me Apni Aulaad ki Shadi ke liye Naqad Rupiya ya Kapda aur Zever Vagera Jama kiya tha aur iraada tha k usko Khaas fala Bete ta Beti ki Shadi me Kharch karunga ,Ya Beti ke Jahez me dunga, magar Taqdeer se us Shakhs ka inteqal ho gaya aur Wo cheeze us Aulaad ko Malikana tor per Qabze me nahi di thi to sab maal v asbaab Tarka me dakhil hoga,*

*⇛ Aur us Bete ya Beti ka koi Khaas istahqaaq na hoga balki Tajheez v Takfeen, Ada e Qarz aur Vasiyato ki tameel ke baad Miraas ke qaayde ke mutabiq uska jitna hissa banta he wahi milega,*
*®_ Mufidul Wariseen,*

*✿_ Agar ye Soorat kisi Na-balig Aulaad ke bare me pesh aaye to uska hukm Mo’atbar Ulma se daryaft kar le’n,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Tajheez v Takfeen ke Masarif–,*

*✿_ Mayyat Ke Tarke se sabse pehle uski Tajheez v Takfeen ka kharch liya jaye, magar ye kaam bhut sidhe saade Sharai tareeqe se Sunnat ke mutabiq kare aur Kafan bhi Mayyat ki haisiyat ke mutabiq de ,Kapda safed hona chahiye lekin esi qeemat ka ho jis qeemat ka kapda aksar pehna pehan ka Ghar se bahar nikalta aur logo se milta tha,aur Masjid v Bazar me jata tha,na itni kam qeemat ka ghatiya ho aur na itna besh qeemat ho jisme israaf ho ,aur Qarz khawaho aur Vaariso ke haq me nuqsaan aaye,*

*⇛Qabr bhi kachchi banayi jaye ,chahe Mayyat Maldaar ho ya Faqeer , Gusl Dene wala agar Ujrat per Lena pade to ye Kharch bhi hasbe haisiyat mutawasit darze ka kare,*
*⇛Agar Aam musalman ke qabristan me jagah na mile to qabr ke liye Zameen khareed li jaye, uski qeemat bhi digar samaane Tajheez v Takfeen ki tarah Tarke me se le li jaye,*
*®_Mufidul Variseen ,33,*

*✿_ Badi Chadar Jo Janaza ke ouper dhanp diya jata he Kafan me dakhil nahi aur wo Jaay namaz Jo Kafan ke Kapde me se imaam ke liye bachayi jati he ,Kafan se bilkul Zaa’id aur Fizool he ,lihaza agar Mayyat ke Tarke me Ada e Qarz se zyada maal na ho ya Vaaris na-balig ho to ye chadar aur Jaay namaz bana kar Qarzkhwaho ya Yateemo ka nuqsaan Karna hargiz Jaa’iz nahi ,Sakht mamnu’a he,*

*⇛Sharitat ki Mo’atbar Kitabo me yaha tak likha he k agar Mayyat agar zyada maqrooz he to Vaariso per Qarzkhwah Jabr kar sakte he’n k Sirf do hi Kapdo me Kafan de ,Yani Kafane Masnoon se bhi ek Kapda ( Kafni ya izaar ) kam Kara sakte he’n, fir in Zaa’id Chaadaro aur Jaay namazo ki kya haqeeqat he,*
*®_ Mufidul Variseen ,33,*

*✿_ Shariyat ke mutabiq Tajheez v Takfeen aur Tadfeen karne ke alawa aur Jo tarah tarah ki Rasme ,Fizool kharchi aur Bid’ate’n is moqe per ki jati he’n, Maslan – Ahle Mayyat ki taraf se Dawat vager inke akhrajaat Tarke se Lena hargiz Jaa’iz nahi ,isi tarah ta’aziyat ke liye aane walo ki mehmandari me bhi Tarka ki koi cheez Kharch Karna Jaa’iz nahi, Jo shakhs ESA karega chahe wo Vaaris ho ya gair Vaaris to is Zaa’id Kharch ka use tawaan dena padega ya agar wo Vaaris he to uske hissa e miraas me se kam kiya jayega,*
*®_ Mufidul Variseen, 33,*

*✿_ Sadqaat v Khairaat Jo Baaz na- waqif log Mayyat ke Tarke me se ( Tarke ki taqseem se pehle ) kar dete he’n ,Maslan– Galla Kapde vagera khairaat kar dete he’n ,Ye hargiz masarife Tajheez v Takfeen me shumar na honge ,balki karne wale ke zimme tawaan waajib hoga ,is maamle me bahut ahatyaat karni chahiye,*
*⇛Baaz dafa Mayyat ke Vaariso me Chhote Qabile Raham Yateem Bachche hote he’n ya Mayyat maqrooz hota he aur doosre Rishtedar Rasmo ki pabandi aur Maale Muft Dile be- raham samajh kar beja kharch karte he’n aur Akhirat ka azaab apne Sar lete he’n ,Kyuki isse qarz khwaho aur Vaariso ka haq maara jata he,*
*⇛Kabhi ye hota he k Mayyat ke Sile huve kapde Mayyat ki taraf se Allah Waste de diye jate he’n, Kahi Shohar mar jata he aur Beva aur Na-balig Bachche reh jate he’n to Beva be shadak uske Tarke me se khairaar karti he ,ye khabar nahi k is maal me masoom Bachcho ka haq he, agarche Wo unki maa’n he lekin unke maal ko bila zarurat kharch karne ki Mukhtar nahi, Bachche agar ijazat bhi de to unki ijazat Shar’an motbar nahi ,*

*✿_ Mayyat ki taraf se Sadqa karna bila Shubha bahut pasandida aur baa’ise sawab he aur Mayyat ko iska sawab pahunchta he ,lekin Sadqaat usi waqt pasandida aur naafe ho sakte he’n k Shariyat ke muwafiq ho ,Shariyat Hukm deti he k haqdaaro aur Yateemo ke maal per haath saaf mat karo, balki jis kisi ko Tofeeq ho apne halaal maal se Sadqa kare ,isliye laazim he k pehle Tarka ki Taqseem Shara’i qaayde se kar li jaye ,fir Baalig Vaaris apne hisse me se Jo Chahe de ,Taqseem se pehle hargiz na dena chahiye,*
*®_ Mufidul Variseen ,34 Bahishti Zever,*

*✿_ Agar Mayyat Aurat ho aur uska Khawind Hayaat ho to Tajheez v Takfeen ka kharch Shohar ke Zimme Waajib he ,Aurat ke Tarke me se na Liya jaye, Agar Shohar nahi ho to hasbe mamool Aurat hi ke Tarka me se Kharch kiya jaye,*
*®_ Shaami -1/810, Mufidul Variseen 36,*

*✿_ Mayyat Chahe Mard ho ya Aurat agar uska koi Azeez Qareeb ya koi aur Shakhs apni khushi se Tajheez v Takfeen aur Dafan ka kharch Apne paas se Karna chahe aur Vaaris bhi is per raazi ho to kar sakta he ,ba-sharte k Kharch dene wala Aaqil Baalig ho ,esi soorat me Tarka se kharch na liya jaye,*
*⇛ Agar ittefaak se Darindo ne Qabr ukhed dali aur Kafan zaaya karke Mayyat nikaal ko nikaal daal Ya Kafan Chor ne Mayyat ko nikaal kar barhana daal diya ,to dobara bhi Kafan ka kharch Mayyat ke Tarke se dilaya jaye ,esi soorat me Gusl v namaz dobara nahi kiya jaye,*

*✿_ Tarka me Jo Chaar huqooq tarteeb vaar waajib he’n unme sabse Avval Tajheez v Takfeen he agar Tajheez v Takfeen ke kharch se kuchh bhi na bacha to na Qarz khwaho ko kuchh milega ,na Vasiyat me kharch ho sakta he ,na Vaaris ko miraas me kuchh mil sakta he,*
*®_ Mufidul Variseen, 36,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Qarzo ki Adaaygi —,*

*✿_ Tajheez v Takfeen ke baad Sabse aham kaam Logo ( Makhlooq e Khuda ) ke un Qarzo ki adaaygi he Jo Mayyat ke zimme reh gaye he’n,*
*–Agar Mayyat ne Bivi ka Mahar ada nahi kiya tha to Wo bhi Qarz he aur iski adaaygi bhi esi hi zaroori v laazim he jesi doosre Qarzo ki,*

*⇛Garz Tajheez v Takfeen aur Tadfeen ke baad Jo Tarka bache usme se sabse pehle Mayyat ke tamaam Qarze ada karna farz he ,chahe usne Qarze ada karne ki Vasiyat ki ho ya na ki ho ,aur Chahe saara Tarka Qarzo ki adaaygi me hi kharch ho jaye ,Agar Qarzo ki adaaygi ke baad kuchh bacha tab to Vasiyat me bhi Sharai qaayde ke mutabiq kharch kiya jayega aur un Vaariso ko bhi hisse milenge ,aur kuchh bhi na bacha to na Vasiyat me ,na Vaariso me kuchh kharch hoga , Kyuki Shariyat me Qarzo ki adaaygi Vasiyat aur Miraas per bahar haal muqaddam he,*

*® Mufidul Variseen, 36,*

*✿_ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Qarzo ke Mutalliq nihayat sakht takeed aur tambeeh farmayi he ,Jo log Apne zimme Qarz chhor jate he’n aur uski adaaygi ke liye Tarka me maal bhi nahi chhor te to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ESE logo ki Namaze Janaza Khud na padhate the balki Sahaba Kiram se farmate k, Tum Namaz padh do aur apni Dua v Namaz se Aap Sallallahu Alaihivasallam unko mehroom rakhte,*

*✿_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ka bayan he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke paas jab ( Namaze Janaza ke liye ) esa Mayyat laya jata Jo maqrooz tha to Aap Sallallahu Alaihivasallam Daryaft farmate k, Kya isne apna Qarz ada karne ke liye maal chhora he ?Agar bataya jata k isne itna maal chhora he k Qarz ada karne ke liye kaafi he to us per Namaz ( Janaza ) padhte ,Varna Aap Sallallahu Alaihivasallam Sahaba Kiraam se farma dete k ,is per tum Namaz padh do,*
*®_ Sahih Muslim, 2/ 35,*

*⇛Halanki un logo ka Qarz bhi Kuchh had se zyada na hota tha ,aur Zarurat hi ke liye Qarz lete the, fir bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam is qadar sakhti farmate the, Aaj fizool Rasmo aur Beja Kharcho ke waste bade bade Qarze lete he’n aur mar jate he’n aur Vaaris bhi kuchh Fikr nahi karte,*

*✿_ Sahih Hadees me ishara he k Momin ka jab tak Qarz ada na kar diya jaye uski Rooh ko ( Sawab ya Jannat me dakhila se ) roka jata he, Ek Shakhs ne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Mere Bhai ka inteqal ho gaya aur Chhote Bachche chhor gaya he ,Kya me un per maal kharch karu ( aur Qarz ada na karu ? )*
*"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ,Tumhara Bhai Qarz ki vajah se muqeed he, Qarz ada karo,*
*®_ Mufidul Variseen ,40 bahawala Mishkaat,*

*✿ _Agar Tajheez v Takfeen aur Tadfeen ke baad baqi Tarka tamaam Qarzo ki adaaygi ke liye kaafi he to bila kisi farq ke tamaam Qarze ki adaaygi ki jaye aur agar Kaafi nahi aur Qarz sirf ek Shakhs ka he to Jitna Tarka Tajheez v Takfeen aur Tadfeen se bacha he Wo sab usko de diya jaye ,baqi Wo agar chahe to maaf kar de ya Akhirat per moqoof rakhe,*
*®_Mufidul Variseen, 38,*

*✿_ Agar Tajheez v Takfeen aur Tadfeen ke baad bacha hua Tarka Qarzo ki adaaygi ke liye kaafi nahi aur Qarz kai Aadmiyo ka he to Wo unme kitna kitna kis tarah taqseem hoga ? Aur kis Qism ke Qarz ko doosre Qarz per muqaddam kiya jayega ? Iski tafseel kisi Sahibe Fatwa Mustanad Aalime Deen ko poori soorate haal bata kar maloom kar liya jaye ya Kitaab ” Mufidul Variseen ” ka bagor mutala kiya jaye,*

*✿_ Agar Tajheez v Takfeen aur Tadfeen ke baad Tarka bilkul na bache ya itna thoda bacha kar sab Qarze usse ada na ho sake to baqi Qarzo ka ada karna Vaariso ke zimme waajib nahi,*
*⇛Haa’n Muhabbat ka taqaza aur behtar pasandeeda yahi he k Jitna ho sake Mayyat ki taraf se Qarze ada karke usko Raahat Pahunchaye,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Allah Ta’ala ke Qarzo ki Adaaygi–*

*✿_ Allah Ta’ala ke Qarze yana Huqooq (Faraiz v Waajibaat ) reh gaye ho, Maslan– Namazo, Rozo ka Fidya, Zakaat, Hajj Sadqatul fitr ,Nazar ya Kaffara vagera esa reh gaya tha Jo Mayyat ne ada nahi kiya tha, to inka Hukm ye he k Agar Bando ke tamaam Qarze ada karne ke baad Tarka me kuchh maal baqi rahe aur Mayyat ne Allah ke in Huqooq ko ada karne ki Vasiyat bhi ki ho to is bache hue maal ke ek tihaai ( 1/3 ) me se in Huqooq ko Ada kiya jaye,*

*⇛ Agar ek tihaai me Wo poore ada na ho sake to Jitne ada ho sake ada kar de, Tihaai se zyada maal kharch karke unko. Ada karna Vaariso per laazim nahi ,kyuki baqi do tihaai ( 2/3 ) maal Vaariso ka he, Lihaza Aaqil Baalig vaariso ko akhtyar he k Chahe to apne apne hisse aur maal me se kharch karke un baqi huqooq ko bhi Ada kare aur Mayyat ko Akhirat ke muwakhze se bachaye aur khud bhi sawab kamaye,*

*⇛( Lekin majnoon ya Na-balig Vaariso ka hissa isme kharch karna hargiz Jaa’iz nahi, agarche Wo ba khushi ijazat de de )aur Chahe to do tihaai maal sab Vaaris Sharai hisso ke mutabiq Aapas me taqseem kar le, is soorat me Allah Ta’ala ke Jo Huqooq ada hone se reh jayenge unki Zimmedari Mayyat per hogi, Vaariso se koi muwakhza na hoga,*
*®_ Mufidul Variseen, 39 islahi inqlaabe Ummat, 1/185,*

*✿ _isi tarah agar tihaai maal itna ho k Allah Ta’ala ke sab Huqooq usse ada ho sakte ho lekin Marne wale ne sirf baaz huqooq ada karne ki Vasiyat ki aur baqi Huqooq ki nahi ki Ya itne kam maal ki Vasiyat ki k usse Wo sab Huqooq ada nahi ho sakte ,Maslan — tihaai maal 2000 tha jisse sab Huqooq ada ho sakte the lekin mayyat ne sirf 1500 Rupiya Kharch karne ki Vasiyat ki to Vaariso per Adaaygi sirf Vasiyat ki had tak laazim hogi, poore 2000 kharch karna laazim na hoga, Albatta Marne wala poore Huqooq ki Vasiyat na karne ki Vasiyat na karne ki vajah se gunahgar hoga,*
*®_Daleelul Khairaat ,-28,*

*✿_ Khulasa ye he k Bando ke Qarzo aur Allah Ta’ala ke Qarzo ( Huqooq) me teen farq he’n:-*
*⇛1- Ek ye k Bando ke Qarzo ka ada karna Mayyat ki Vasiyat per mokoof nahi, balki Vasiyat na ki ho tab bhi Tajheez v Takfeen ke baad unka ada karna Farz he aur Allah Ta’ala ke Huqooq ka ada karna Mayyat ki Vasiyat per mokoof he ,Vasiyat na kare to unka ada karna Vaariso per laazim nahi,*

*⇛2- Doosra Farq ye he k Bando ka Qarz ada karne me koi had nahi thi ,Tajheez v Takfeen ke baad saara Tarka bhi usme kharch ho jaye to Kharch karke ada karna Farz he ,aur Allah Ta’ala ke Huqooq ko Bando ke tamaam Qarze ada karne ke baad Jo Tarka bache uske sirf ek tihaai me se ada karna farz he ,tihaai se zyada Kharch karna Vaariso per laazim nahi,*

*⇛3- Teesra Farq zaahir he k Allah Ta’ala ke Huqooq ka ada karna usi soorat me Farz he jabki Bando ke tamaam Qarze ada ho chuke ho,*
*®_ Mufidul Variseen, 40,*

*✿_ Tambeeh— Qarz ki is doosri qism yani Allah Ta’ala ke maali Huqooq ki adaaygi chunki Vasiyat per mokoof he ,Mayyat ne Vasiyat na ki ho to adaaygi laazim nahi,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Jaa’iz Vasiyato ki Ta’meel,*

*✿_ Mayyat ke Tarke me tarteebvar Jo 4 Huqooq waajib hote he’n unme Teesra Haq yani Vasiyat ki zaroori tafseelat ka Bayan hota he,*

*✿_ Ye kehna k ” Me itne maal ki fala ke liye Vasiyat karta hu ” ya ye kehna k ” Mere Marne ke baad mera itna maal fala Shakhs ko de dena ,” ya ” Fala Kaam me laga dena, ”ye Vasiyat he ,Chahe Bimari me kaha ho ya tandurasti me aur chahe kehne wala usi Bimari me mara ho ya baad me,*
*®_Bahishti Zever,*

*✿_ Agar apni Maut ka zikr bilkul na kiya ,na Vasiyat ka lafz bola balki Sirf YU kaha k fala Cheez meri fala Shakhs ko de do ya fala kaam me laga do ,to ye Vasiyat nahi ,aur is per Vasiyat ke Ahkaam jaari na honge ,Kyuki Shariyat me wahi he jisme apni maut ke baad ke liye koi Hidayat di gayi ho,*
*®_ Durre Mukhtar, 5/568,*

*⇛isi tarah agar kisi ne Masjid tameer karane ke liye ya Kunva vagera banane kW liye ya fi sabilillah taqseem karne ke liye ya kisi ko Tohfa Hadiya dene ke iraade se Rupiya rakha tha ya Samaan Jama kiya tha ya Hajj ke waste Raqam rakhi thi aur fir ba-qaza e ilaahi safare Akhirat pesh aa gaya ( yani maut aa gayi ) to ye sab cheeze Tarka me dakhil hokar miraas me taqseem hongi ,aur inko Vasiyat me shumar nahi kiya jayega ,Kyuki usne esi koi Hidayat logo ko nahi ki jisko Vasiyat kaha ja sake,*
*®_Mufidul Variseen, 69,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Sahi Aur Baatil Vasitate’n–,*

*✿_ Har Aaqil Baalig ko apne maal me sirf itni Vasiyat karne ka akhtyar he Jo Tajheez v Takfeen aur Adaa e Qarz ke baad Jo Tarka bache uske ek tihaai ( 1/3 ) ke Andar WO Vasiyat poori ho sake ,agar zaa’id ki Vasiyat ki to tihaai se zyada kharch karke usko poora karna Vaariso per laazim nahi ,kyuki baqi do tihaai (2/3) sirf Vaariso ka haq he ,Albatta Jo Vaaris Aaqil Baalig ho Wo Apne apne hisse me se agar us zaa’id Vasiyat ko bhi poora karna chahe to kar sakte he’n,*
*®_Durre Mukhtar v Shaami,*

*✿_ Agar kisi ka koi Vaaris hi na ho to isko Tajheez v Takfeen aur Ada e Qarz se bache hue saare maal ki Vasiyat kar Jane ka akhtyar he ,aur agar Vaaris Sirf Bivi ho to Teen Chothai ( 3/4 ) tak ki Vasiyat durust he ,isi tarah agar Aurat ka Vaaris Shohar ke alawa koi nahi ho to nisf ( 1/2 ) maal tak ki Vasiyat sahi he, kyuki in soorto me kisi Vaaris ki haqtalfi nahi hoti ,*
*®_Bahishti Zever, Durre Mukhtar, 5/572,*

*✿_ Agar Mayyat ke zimme Qarz itna zyada ho k Ada e Qarz ke baad kuchh Tarka baqi hi na rahe to har qism ki Vasiyat bekaar aur Baatil he ,agar Qarz khwah apna Qarz maaf kar de to Jo kuchh maal reh jaye uska ek tihaai me Vasiyat per Amal kiya jayega ,baqi Vaariso ko milega,*
*®_Mufidul Variseen, 62,*

*✿_ Na-balig ya Majnoon ki Vasiyat Shar’an Baatil he, us per Amal karna ek tihaai me bhi waajib nahi,*
*®_Durre Mukhtar v Shaami, 5/576,*

*✿_ Apne kisi Vaaris ko miraas se mehroom karne ya uske hisse me kami karne ki Vasiyat bhi Baatil he ,us per Amal hargiz Jaa’iz nahi aur esi Vasiyat karna Gunaah bhi he,*
*®_Mufidul Variseen, 57, Durre Mukhtar,*

*✿_ Kisi Gunaah ke kaam me maal Kharch karne ki Vasiyat bhi Baatil he aur us me Tarka ko Kharch karna Vaariso ki ijazat se bhi Jaa’iz nahi,*
*®_Durre Mukhtar v Shaami, 5/605 ,Bahishti Zever,*

*✿ _Mayyat ne agar apne kisi Vaaris ke liye Maslan- Maa’n Baap, Shohar, Bete vagera ke liye Vasiyat ki to ye Vasiyat bhi Baatil he ,Kyuki har Vaaris ka hissa miraas me Shariyat ne khud muqarrar kar diya he, wahi usko milega, Vasiyat ki Buniyad per kisi ko kuchh nahi diya ja sakta ,taki doosre Vaariso ki haq talfi na ho,*
*⇛Albatta agar Mayyat ka us Vaaris ke alawa koi aur Vaaris hi na ho ya baqi sab Vaaris Raazi ho to unki ijazat se de dena Jaa’iz he ,lekin Na-balig ya majnoon ki ijazat motbar nahi ,sirf Aaqil Baalig Vaaris apne Apne jisse me se chahe to de sakte he,*
*®_Bahishti Zever v Mufidul Variseen,*

*✿_ Agar Mayyat ne apne Qaatil ke liye Vasiyat ki chahe Qatl se pehle ki ho ya Zakhmi ho Jane ke baad, to agar Qaatil Na-balig ya Diwana nahi tha to ye Vasiyat bhi aksar soorto me Baatil aur baaz soorto me durust he ,ESA Masla pesh aa jaye to Mo’atbar Ulma kiraam se puchh kar Amal kiya jaye,*
*®_Durre Mukhtar v Shaami, 5/569-575,*

*✿_ Agar Vasiyat karne wale ne apni Zindgi me Vasiyat se ruju kar liya Maslan – YU kaha k ,” me is Vasiyat se Ruju karta hu’n ,” ya ” ise Jaari na kiya jaye “, ya ,” ise mansookh karta hu’n ,” to Vasiyat Baatil ho jayegi Goya ki hi nahi thi ,jab tak Vasiyat karne wala zinda he usko is tarah apni Vasiyat Baatil karne ka poora akhtyar he,*
*⇛( lekin agar Jhoot bole aur YU kahe ,” k mene Vasiyat ki hi nahi thi ,” halaki gawah mojood he’n ya logo ko aam tor per maloom he k Vasiyat ki thi to us Jhoote INKAAR se Vasiyat Baatil na hogi aur Jhoot bolne ka Gunaah alag hoga)*
*®_Mufidul Variseen,*

*⇛isi tarah agar Zindgi me ESA Amal kare jisse maloom ho k Vasiyat se fir gaya he tab bhi Vasiyat Baatil ho jayegi ,Maslan ek Zameen ki Kisi ke liye Vasiyat ki thi ,fir usi Zameen me apna Makaan bana liya ya koi cheez ki Vasiyat ki thi aur usko Farokht kar di to esi soorto me ye samjha jayega k usne Vasiyat se Ruju kar liya he ,Lihaza Vasiyat Baatil ho jayegi.*
*®_ Mufidul Variseen, 64,*

*✿_ Agar kisi khaas Zameen ya khaas Makaan ya khaas kapde ya khaas janwar vagera ki Vasiyat ki thi aur fir Wo kisi tarah uski milkiyat se nikal gaya ya Zaay ho gaya ya mar gaya ( jaanwar ) to Vasiyat Baatil hogi kyuki jis khaas Cheez ki Vasiyat ki thi Wo mojood hi nahi rahi,*
*®_ Mufidul Variseen, 64,*

*✿ _Mayyat ne jisko Maal diye Jane ki Vasiyat ki thi Wo Mayyat ke inteqal ke baad qubool karne se inkaar kar de aur keh de k me nahi leta ,to Vasiyat Baatil ho jayegi ,ab baad me Wo iska mutalba nahi kar sakta,*
*⇛Lekin agar inkaar Mayyat ki Zindgi me kiya tha to Baatil na hogi, kyuki Vasiyat ko qubool ya Radd karna wahi motbar he Jo Mayyat ke inteqal ke baad ho ,maut se pehle qubool ya Radd ka aitbaar nahi,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami, 5/577,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Vasiyato ki Tameel ka Tareeqa,*

*✿_ Tajheez v Takfeen aur Tadfeen aur Qarzo ki Adaaygi ke baad Jo Tarka baqi rahe uske Teen hisse karenge in me se do hisse ( 2/3 ) sirf Vaariso ka haq he ,Jo un per Sharai qaayde Ke mutabiq taqseem ho'nge aur ek Hissa ( 1/3 ) Vasiyat me kharch kiya jayega, chahe us ek tihaai se uski saari Vasiyat poori ho ya na ho,*
*⇛ Agar saari Vasiyate poori hokar us tihaai me se kuchh baqi bacha to Wo sab bhi Vaariso ka he,*
*®_Mufidul Variseen,*

*✿_ Ek se Zyada Vasiyato me bhi yahi Hukm he k ek tihaai ke Andar Andar Jis qadar Vasiyate poori ho sake ada kar di jaye ,Baqi chhor de ,kyuki baqi Vasiyato ka poora karna Vaaiso ke zimme laazim nahi,*
*®_Shaami, Bahishti Zever,*

*✿_ Vaariso me se Jo Aaqil Baalig aur haazir ho Wo apni khushi se apne apne hisse me se agar Mayyat ki baqi Vasiyato ko poora karna chahe to kar sakte he’n,*
*⇛Lekin gair Haazir ya Na-balig ya majnoon Vaaris ka hissa is ek tihaai se Zyada kharch me lagana Jaa’iz nahi,*
*®_ Mufidul Variseen,*

*✿_Jo Vasiyate Shar’an Zyada zaroori he unko pehle kiya jaye ,unse kuchh baqi rahe to kam zaroori Vasiyat ka bhi poora karna waajib he, unse bhi kuchh bache to gair zaroori Vasiyat per jitna ho sake Amal karna Waajib he,*
*"_Maslan – Qaza rozo ke fidye ki bhi Vasiyat ki aur Sadqatul fitr ada karne ki bhi aur Kunva khudwane ki bhi. To sabse pehle Rozo ka fidya ada kiya jaye, kyuki Roze Farz he, Fir agar kuchh maal bache to Sadqatul fitr jitna ho sake ada kare Baqi chhor de kyuki ye waajib he farz nahi aur Kunva bilkul hi chhor de kyuki ye to Waajib bhi nahi sirf mustahab he, Maal bachta to ye bhi banwana Waajib hota,*
*®_ Durre Mukhtar v Shaami,*

*✿_ Agar sabhi Vasiyate barabar Darje ki ho to Jo Vasiyat pehle ki thi usko pehle poora kiya jaye ,fir kuchh maal baqi rahe to doosri ko poora kare varna nahi,*
*"_Maslan – Roze ka fidya aur Namaz ka fidya ki Vasiyat ye Dono farz he ,isliye jiski Vasiyat pehle ki thi usko pehle ada kare,*
*®_Mufidul Variseen v Shaami,*

*👉🏻 In maslo me tafsilaat aur barikiya’n bahut he, Jab bhi ESA Masla pesh aaye to Maahir Ulma e Deen se puchh kar Amal kare,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Masail e Fidya - Namaz v Roza Vagera aur unki Miqdaar,*

*✿_ (1)- Har Roz ki Namaze Vitr samet 6 lagayi jayegi aur har Namaz ka Fidya ek Ser 12.5 chhataak Gandum ya iski Qeemat hogi, ahahtyaat isme he k poore 2 ser gandum ya iski Qeemat ada ki jaye, isi tarah ek din Ki Namaz ka fidya poore 12 ser gandum ya iski Qeemat hogi,*

*✿_ (2)- Har Roze ka Fidya ek Namaz ke fidya ke barabar he ,( Jo ouper guzra ) Ramzan ke Rozo ke alawa agar koi nazar ( mannat ) ke Roze maane ho to uska bhi fidya dena hoga,*

*✿_ (3)- Zakaat Jitne saal ki ho aur Jine miqdaar maal ki rahi he ,uska hisaab karke ada karna hoga,*

*✿_(4)- Hajj Farz agar Mayyat ada nahi kar saka to Basti se kisi ko Hajje Badal ke liye bheja jayega aur uska poora Kiraya Aane Jaana aur Qayaam v Ta’am ( Rukna v Khana ) ke tamaam zaroori Kharch ada karne honge, Agar Tarke ke ek tihaai me itni gunjaish na ho to Jis Basti se Kharch kam aata ho waha se bhej diya jaye,*

*✿ (5)- Jitne Sadqatul fitr rahe ho har ek ke ek ser saade barah ( 12.5 ) chhatak ( ahatyatan poore Do ser gandum) ya iski Qeemat ada ki jaye,*

*✿_ (6)_Qurbani koi reh gayi ho to us saal me ek Bakre ki Qeemat ya ek Gaay ki Qeemat ke saatve hisse ka andaza karke Qeemat ka Sadqa kiya jaye ,*

*✿(7)- Sajda e Tilawat reh gaye ho to ahatyaat isme he k har sajde ke badle ek Namaz ke Fidya ke barabar Sadqa kiya jaye,*

*✿_ (8)- Agar Faut Shuda Namazo ya Rozo vagera ki sahi tadaad maloom na ho to talhmine se hisaab kiya jaye,*

*®_ Makhooz– Hila e isqaat,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Na-jaa’iz Vasiyato ki Chand Misaale,*

*✿_ Baatil Vasiyato ka Bayan pehle guzar Chuka he, inhi Baatil Vasiyato me se ek ye he k- Kisi Na-jaa’iz kaam me Kharch karne ki Vasiyat ki ho,*
*⇛Maslan— Teeja ( So’am) Karne ki ya Gyarvi, Baarvi, Dasva, Beesva, Chaleesva (Chahallum) karne ki, Ya muravvaja Milaad ya Urs karane ki Vasiyat ki,*

*⇛ Ya Pakki Qabr banwane ya us per Qubba ( Gumbad ) banane ki Vasiyat ki.Ya ye Vasiyat ki k Qabr per kisi Hafize Quran ko Paise dekar bitha dena taki padh kar sawab bakhshta rahe,*

*"⇛_Tilawat Qur'an Per Ujrat Lena Haram hai, Jo Tilawat Ujrat le kar ki jaye Uska Sawab na padhne wale Ko milta hai, na Mayyat ko, Balki esa Karne wala Ulta gunahgar hai _," ( Saharah Aqu v Rasm Mufti )*

*⇛Ya Kisi Vaaris ko Mehroom karne ki Vasiyat ki Ya Cinema Haal banane ki Vasiyat ki,*
*☞ To esi Vasiyate karne wala sakht Gunahgar he aur in Vasiyato per Amal karna bhi Jaa’iz nahi,*

*®_ Shaami, 5/205 v Bahishti Zever,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Vasiyat Naama,*

*✿_ Vasiyat ke liye Behtar aur Asaan soorat ye he k ek Copy me Vasiyat Naama aur Zaroori Yaddashte likh diya jaye aur Andar har unwan ke liye warq ( page ) khaas kar liye jaye,*

*☞ Unwaanaat :—*
*✿ 1- Namaze Jo Zimme Baqi he ,*
*⇛2- Zakaat Jo Zimme Baqi he ,*
*✿ 3- Ramzan aur Mannat ke Roze Jo Zimme Baqi he,*
*⇛4- Hajj e Farz ,*
*⇛5- Sadqatul fitr Jo Apne aur Apne Na-balig Bachcho ke baqi he,*

*✿ 6- Qurbaniya’n Jin Barso ki baqi he unki Qeemat ka Sadqa karna he ,*
*⇛7- Sajda e Tilawat Jo Zimme Baqi he,*
*✿ 8- Qasam ke Kaffare Jo Zimme Baqi he ,*
*⇛ 9- Doosro ka Qarz Jo Zimme Baqi he,aur Apna Qarz Jo Doosro ke zimme Baqi he,*
*✿ 10- Amanate Jo doosro ke paas he aur Wo Amanate Jo Doosro ki apne paas he,*
*✿11- Vasiyat Naama,*

*⇨Har unwaan ke tahat Mukammal hisaab likha rehna chahiye aur Akhri unwaan ‘” Vasiyat Naama ” ke Andar bhi tehreer kare k pichhle avraaq ( pages ) me Jo Huqooq aur hisabaat darj he unke mutabiq Adaaygi ki Jaye,*

*⇨Iske alawa Vasiyat Naama me zarurat ke mutabiq likhte rahe aur apne kisi Qabile aitmaad ko bata diya jaye k ye Copy fala jagah rakhi he, taki kisi waqt bhi paigame Ajal aa Jaye to Allah aur Bando ke Huqooq Ada ho sake aur Apne ouper Duniya v Akhirat ka koi bojh na rahe,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Marzul Maut me Tohfa ya Sadqa Dena bhi Ba-hukme Vasiyat he,,*

*✿_ Khulasa ye he k Marzul Maut me diye gaye Tohfe, Hadiye aur Sadqaat v Khairaat sab ke sab Vasiyat ke hukm me he, Jo pabandiya’n Vasiyat me he wahi Unme bhi hogi,*

*✿_ Jis tarah tihaai maal se zyada ki Vasiyat karna durust nahi usi tarah Marzul Maut me apna maal tihaai se zyada kisi ko bila muavza dena maslan Hadiya ,Hiba ya Fidya v Sadqa dena bhi durust nahi ,Kyuki isme Vaariso ki haq talfi he, agar tihaai se zyada de diya to jab tak Mayyat ke inteqal ke baad sab Vaaris uski ijazat na de ya dena durust nahi hoga, Jitna tihaai se zyada he Vaariso ko wapas lene ka akhtyar he, aur Na-balig, majnoon ijazat de tab bhi motbar nahi,*

*⇛ Aur Marzul Maut me Kisi Vaaris ko tihaai ke Andar dena bhi sab Vaariso ki ijazat ke bager durust nahi aur ye sab hukm us waqt he jab apni Zindgi me dekar Qabza bhi kara diya ho ,aur agar de to diya lekin Qabza abhi nahi hua to Marne ke baad Wo dena bilkul hi Baatil he usko kuchh na milega Wo sab maal Vaariso ka haq he ,*

*⇛Marzul Maut me Khuda ki Raah me dene aur Nek kaam maslan waqf vagera me lagane ka bhi yahi hukm he ,garz ye k tihaai se Zyada maal bila muawza dena kisi tarah bhi durust nahi aur Vaaris ko dena tihaai me bhi durust nahi,*
*®_Durre Mukhtar v Bahishti Zever,*

*✿_ Bimaar ke paas Marzul Maut me mizaaj pursi ke liye kuchh log aa gaye aur kuchh roz khate pite rahe to agar mareez ki khidmat ke liye unke rehne ki zarurat ho to kuchh harj nahi aur agar zarurat nahi ho to unki Dawat ,Khatirdari aur khane pine me bhi tihaai se Zyada lagana Jaa’iz nahi,*
*⇛Aur agar Zarurat bhi na ho aur Wo log Vaaris ho tihaai maal se kam bhi bilkul Jaa’iz nahi, yani unko uske maal me khana Jaa’iz nahi, Haa’n agar sab Vaaris raazi ho to Jaa’iz he,*
*®_Bahishti Zever,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Marzul Maut Kab Shumar Hoga ?*

*✿_ Marzul Maut us Bimaar ko kehte he Jisme mubtila hokar Aadmi Duniya se rukhsat ho jaye, Zindgi me hargiz ye maloom nahi ho sakta k Wo Bimari konsi he jisme Mareez Duniya se Rukhsat ho jaye,*
*®_Mufidul Variseen,*

*✿ Jab koi Shakhs kisi marz me mubtila ho kar mar jaye To jis waqt se mubtila hua tha usi waqt se Marzul Maut ki haalat shumar hogi ,Lekin Jo Marz saal bhar tak ya Zyada raha ho usko ibtida hi se Marzul Maut shumar nahi karenge, balki Jis waqt Marz Shadeed hokar halakat ki nobat pahunchi he us Roz se Marzul Maut Shumar hoga ,aur usi Roz se Marzul Maut ke Ahkaam jaari honge,*

*⇛Maslan— agar koi Shakhs saal do saal se T B me ,Faalij ya Mirgi Ya Bawaseer vagera amraaz me mubtila tha Uske baad ek Hafta ke liye marz shadeed hokar usi me inteqal ho gaya to Marzul Maut sirf ek hafta Shumar hoga, isse pehle ke sab maamlat Hiba, Sadqa bager bilkul Jaa’iz aur misl e haalat Sahat ke samjhe jayenge,*
*®_Shaami, Durre Mukhtar, 5/579 Mufidul Variseen,*

*✿_ Aurat agar Viladat ki takleef me mar gayi to jis waqt se darde zah shuru huva tha usi waqt se Marzul Maut Shumar hogi,*
*®_Mufidul Variseen v Bahishti Zever,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Vasi Yani Vasiyat ka Vakeel aur Nayab,*

*✿_ Vasiyat karne wala jis Shakhs ko apni maut ke baad Tarka se Qarzo ki Adaaygi ya Vasiyato ki tameel, Miraas ki taqseem aur apne Bachcho ke mamlaat ka intezam vagera karne ke liye Apna Nayab aur Vakeel muqarrar kar de usko Vasi kehte he,*

*⇛Jisko Vasi banaya tha agar usne Zaban se qubool kar liya tab bhi us per laazim ho gaya ya. Koi ESA kaam kiya jisse maloom ho gaya k ye Shakhs Vasi banne per raazi he tab bhi Vasi ban gaya,*
*⇛Lekin Jab tak Vasiyat karne wala Zinda he Vasi ko akhtyar he k Vasi banne se inkaar kar de Albatta uski maut ke baad akhtyar na rahega,*
*®_ Mufidul Variseen,*

*✿_ Agar ek Shakhs ko baaz umoor ka Vasi banaya aur digar umoor ka zikr nahi kiya aur na unke liye kisi aur ko Vasi banaya he to tamaam umoor ka Vasi yahi Shakhs samjha jayega,*

*⇛Agar Tamaam umoor me do Shakhso ko Vasi banaya he. To un dono ko mil kar kaam karna chahiye, sirf ek Shakhs agar tasarrufaat karega to na-jaa’iz hoga ,Albatta agar. Tajheez v Takfeen ka intezam aur Mayyat ke Ahlo ayaal ki fori zarurato ko ek Shakhs bhi anjaam de de to Jaa’iz v motbar hoga,*
*®_Durre Mukhtar, 5/616, Mufidul Variseen,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Vaariso Per Miraas ki Taqseem,*

*✿_ Mayyat ke Tarke me tarteebvar Jo chaar Huqooq waajib hote he Chotha Huqooq Yani ” Vaariso per Miraas ki taqseem “he ,*

*✿_ Jaa’iz Vasiyato ki tameel tihaai Tarke ki had tak karne ke baad jo kuchh maal baqi rahe wo sab tamaam Vaariso me Shariyat ke mutabiq Taqseem hoga,*

*⇛ Shariyat ne har Vaaris ka hissa khud muqarrar kiya he Jisme Raddo badal ,Tarmeem ya kami beshi ka kisi ko akhtyar nahi, Albatta khud Shariyat hi ne har Vaaris ka hissa har haalat me ek nahi rakha he ,balki mukhtalif haalat me mukhtalif hisse muqarrar kiye he, ( Jinko Apne Motbar Ulma se maloom kiya jaye )*

*✿ _Jab kisi ka inteqal ho to inteqal ke waqt uske Maa’n ,Baap ,Ladke ,Ladkiya’n aur Bivi ya Shohar me se Jo Zinda ho ( chahe mukhtalif mulko me rehte ho ) sabki Mukammal Fehrist ( list ) tadaad aur Rishta likh kar kisi Motbar Aalim v Mufti se Vaariso ka hissa maloom kar le. Aur unke bataye hue tareeqe aur hisaab se miraas taqseem kar de,*

*⇛Agar Mayyat ke inteqal ke waqt Maa’n Baap, Bete Betiya’n me se baaz zinda ho aur baaz na ho to Mayyat ke doosre Zinda Rishtedaro ki tadaad bhi ma rishta likhe,*

*⇛Mayyat ke haqeeqi jo Bhai Behan ho ya sirf Baap Shareek ho ya Maa shareek ho unki bhi alag alag zaroor wazahat kare, sotele maa”n Baap aur Saas Sasur aur Susrali Rishtedar Shar’an Vaaris nahi, unko fehrist me shamil na kiya jaye,*

*✿_ Mayyat ke inteqal ke baad agar uska koi Vaaris taqseem e Miraas se pehle Faut ho gaya to uska hissa uske Vaariso me taqseem hoga ,lihaza us faut hone wale ko bhi Fehrist me shamil karna zaroori he,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ka'i Rishtedar ek Haadse me halaak ho gaye To uska Hukm Aur Gumshuda Vaaris ka Hissa:-*

*✿_ Agar kai Rishtedar ek haadse me halaak ho gaye aur ye maloom na ho sake k kiski maut pehle aur kiski baad me hui, maslan -Jahaaz ya Gaadi vagera ka haadsa ya kisi imaarat ke gir Jane se halaak ho gaye to esi soorat me koi doosre ka Vaaris nahi hoga aur Shar’an YU samjha jayega k Goya sab ek saath halaak hue he’n, Na uska Vaaris hoga na Wo iska ,unke baad Jo Vaaris zinda he’n Sirf unme miraas taqseem hogi,*

*☞ _Gumshuda Vaaris ka Hissa e Miraas:-*

*✿ _Jo Vaaris Mayyat ke inteqal se pehle kahi lapata ho aur talash ke bavjood ye maloom na ho sake k Zinda he ya mar gaya ? To uske Mutalliq Sharai hukm ye he k uska hissa bator Amanat mehfooz rakha jaye, agar aa gaya to le lega aur agar na aaya yaha tak k intezar ki Sharai muqarrar muddat guzar Jane ke baad Musalman Haakim ne Sharai qaayde ke mutabiq use Murda qaraar de diya to Wo Amanat rakha hua hissa bhi Mayyat ke baqi Vaariso me taqseem hoga, Gumshuda ke Vaariso me nahi ,Albatta uska apna maal uske mojooda Vaariso me taqseem hoga,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat, 2/213-218,*

*⇛is masle me bhi Tafseelaat bahut he ,esi soorat pesh aa jaye to Kisi Sahibe Fatwa Aalime Deen se puchh kar Amal kiya jaye*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Mutafarrik ,*

*✿_ Agar Mayyat ke inteqal ke waqt koi Vaaris Maa’n ke Pet me he abhi uski Viladat nahi hui to miraas me Shar’an Wo bhi hissedar he ,magar chunki maloom nahi k ladka he ya ladki isliye jab tak uski Viladat na ho jaye miraas taqseem nahi ki jaye,*

*⇛ Qatil apne maqtool ka Vaaris nahi hota ,Yani agar Mayyat ko kisi ese Rishtedar ne zulman Qatl kiya ho Jo Shar’an uska Vaaris tha to is Qatl ki Vajah se Shariyat ne use apne maqtool ki miraas se mehroom kar diya he, chahe Wo kitna hi qareebi Rishtedar ho, lekin Shart ye he k Qatl karne wala Aaqil Baalig ho ,agar Na-balig ya majnoon ne Qatl kiya to Wo miraas se mehroom nahi hoga,*

*✿_ Musalman aur Gair Muslim ke darmiyan bhi miraas jaari nahi hoti, Yani Musalman Gair Muslim ka aur Gair Muslim Musalman ka Vaaris nahi ho sakta, agarche dono me kitni hi qareebi Rishtedari ho, chahe Baap ho ya Beta hi ho,*
*®_ Sharifiya Sharah Siraaji ,11-12-14,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Tarke Ke mutalliq Kotahiya’n,*

*✿_ Shariyat ka Hukm he k Tarka me jin huqooq ki Adaaygi Wajib he Jald unko Ada karke baqi miraas Vaariso me taqseem kar di jaye, Takheer hone se bahut Zyada pecheedgiya aur Badgumaniya paida hoti he, baaz martaba zyada takheer ki vajah se taqseem e miraas me sakht uljhane aur mushkilaat paida ho jati he aur haq talfi tak nobat aa jati he,*

*✿_Ye jazbaat sahi nahi he k agar marhoom ka Tarka foran taqseem kiya jaye to Duniya ye kahegi k bas isi ke muntazir the k marhoom ki Aankh band ho aur uske sarmaye per qabza kar liya jaye,*
*⇛ Magar Allah Ta’ala ke hukm ke aage ye sab Khayalaat v Jazbaat bekaar he, Sab Vaariso ko bata diya jaye k Tarka ki taqseem Allah Ta’ala ka hukm he, aur uske mutabiq Jald se jald Amal kiya jaye,*

*☞_ Tarke mutalliq baaz Kotahiya Jo kasrat se hamare maashre me feli hui he, —*
*✿_ 1- Mayyat ka Qarz Ada na Karna⇛ Aam tor per ek kotahi ye hoti he k Tehreeri Qarze ke alawa agar koi doosra qarza ho mayyat ke zimme ho to Shayad hi koi usko Ada karta he, Varna saaf inkaar kar dete he’n, ese hi Mayyat ke Qarze Jo doosro ke Zimme ho wo log unse mukar jate he, do no baate Shara’n Zulm he, Khususan Mayyat per agar qarz ho to Vaariso ko Samajhna chahiye k Marhoom ki Rooh Jannat me Jane se muallaq rahegi, jab tak Qarz Ada na ho, to kya apne Azeez ke liye itni zabardast mehroomi qabile bardasht he?*
*®_ islahi inqlabe Ummat, 242,*

*✿ 2- Jaa’iz Vasiyat poori na karna⇛Ek badi Kotahi ye ho rahi he k Mayyat ki jaa’iz Vasiyat ki parvaah nahi ki jati, Halanki jaha tak Shariyat ne Vasiyat ka akhtay diya he, yani ek tihaai tarka tak wo uski milk he, Vasiyat karne ke baad kisi ko isme dakhal andazi ka haq nahi he, agar isme marhoom ki khilaf varzi karke uski jaa’iz vasiyat poori na ki to uski haq talfi hogi, aur haqqul abd reh jayega, isliye bade fikr v ahatmam se mayyat ki Vasiyat poori karni chahiye, agar marhoom ne kisi na-ja’iz kaam me kharch karne ki vasiyat ki ho to use poora karna jaa’iz nahi,*
*®_ Makhuzaaz Vaaz ” Islam haqeeqi “*

*✿_ 3- Bila Vasiyat Namaz Roze ka Fidya mushtarak Tarke se Dena⇛ Ek kotahi ye he k baaz log taqwa ke Josh me Mayyat ki Vasiyat ke bager hi mushtarak Tarke me se Mayyat ki Namazo aur Rozo ka fidya de dete he’n, ya uski taraf se Zakaat ya Hajj Kara dete he’n,*

*⇛ Halanki agar mayyat ne Vasiyat na ki ho to uski taraf se Jo Vaaris Fidya ya Zakaat ya Hajj Ada karna chahe apne hissa e miraas ya Apne doosre maal maal se Ada kare, Jiska bahut sawab he, lekin doosre Vaariso ke hisse me se unki marzi ke bager dena jaa’iz nahi aur na-balig ya majnoon ke hisse me se dena unki ijazat se bhi Jaa’iz nahi,*
*®_ islahi inqlabe Ummat, 1/239,*

*✿_ 4- Namaz Rozo ke Fidya ki parvaah na karna ⇛ Ek Kotahi ye he k koi Vasiyat kiye bager mar Jaye to Vaaris Namaz ,Rozo ke fidya vagera se kam darja ke Kaamo me to balki fizool kharch me hattaki isse badkar ye k na-jaa’iz Rasmo aur Bid’ato me Mayyat ka Tarka udaate he, Magar iski taraf bahut kam log tavajjoh dete he k aur Kharche band karke apne hissa e miraas me se kuchh Mayyat ki taraf se Fidya me de de ya agar Mayyat ke zimme Zakaat Hajj vagera reh gaye he to Wo ada kare,*

*✿_ 5- Fidya ki Adaaygi ke liye Hila e isqaat ⇛ Hila e isqaat baaz Fuqha ne ese Shakhs ke liye tajveez farmaya tha jiske kuchh Namaz, Roze vagera ittefakan faut ho gaye ho ,Qaza karne ka moqa nahi mila aur maut ke waqt Vasiyat ki lekin itna Tarka nahi chhora k jiske ek tihaai se tamaam fidya ada kiya ja sake ,Ye nahi ki uske Tarke me Jo maal mojood he usko to Vaaris baat khaye aur thode se paise lekar Hila hawala karke khuda aur makhlooqe khuda ko fareb de,*

*⇛Fuqha ki kitaao Durre Mukhtar, Shaami vagera me iski sarahat mojood he, Saath hi kuchh aur Sharte bhi he’n Jinki aaj kal bilkul riyayat nahi ki jati , Inki tafsilaat Hazrat Maulana Mufti Shafi Sahab Reh. Ke risale ” Hila e isqaat ” me dekhi ja sakti he,*

*✿_ 6- Kisi khaas Shakhs se Namaz padhwane ya Khaas Jagah Dafan karne ki Vasiyat⇛Baaz log kisi khaas Shakhs se Namaz padhwane ya kisi khaas jagah Dafan hone ki Vasiyat kar jate he’n ,fir Vaaris uska is qadar ahatmam karte he k baaz martaba Shariyat Waajibaat ki bhi khilaf varzi ho jati he,*
*⇛Yaad rakhe ,Shar’an esi Vasiyat Laazim nahi hoti ,agar koi baat khilafe Shara laazim na aaye to is per Amal Jaa’iz he Varna Jaa’iz nahi,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat, 1/243,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Miraas Taqseem na Karna,*

*✿ _Ek sangeen kotahi Jo bahut Kasrat se ho rahi he Wo ye he k Miraas Taqseem nahi ki jati Jiske Qabze me Jo maal he wahi uska Maalik ban beth ta he aur tarah tarah ke hile bahane karke usko apne liye halaal banane ki koshish karta he ,Padhe likhe log bhi isme giraftaar he’n aur ye samajh lete he’n k hum sab ek hi to he’n ,aur ek doosre ko tasarruf ki ijazat bhi he ,Lihaza taqseem ki kya zarurat he ? Aur is tarah ki taveel Wo hi Shakhs kar saka he Jo Qabiz ho kyuki usi ka nafa he,*

*⇛Doosre Vaaris Chhote ya Mathat hone ki Vajah se Sharma Sharmi me kuchh nahi kehte magar dil se koi ijazat nahi deta ,aur ye zahiri ijazat khush dili se nahi hoti Jiski bina per ek Vaaris ka tamaam Tarke per Qabza kar Lena bilkul haraam aur na-jaa’iz hota he ,*
*⇛ Lihaza Azabe Qabr aur Azabe Jahannam se dare aur Zulm v gazab se baaz aaye aur Vaariso ko Sharai Mutabiq unka poora poora haq pahuncha de,*

*☞_Behno aur Ladkiyo ko Miraas na Dena Zulm he,*
*✿_ Ek kotahi ye he k baaz log Behno aur Ladkiyo ko miraas nahi dete ,unki Shadi ke moqe per Tohfe tahaif dene se samajhte he’n k unka Jo haq tha ada ho gaya ,*
*⇛Yaad rakhiye is tarah hargiz miraas se haq khatm nahi hota ,unka hissa e miraas poora poora ada karna waajib he aur miraas se mehroom karna haraam aur Zulm he,*

*☞ _Behno se Hissa e miraas maaf kara Lena,*
*⇛Aksar Deendar aur Agle ilm gharano me bhi Behno se hissa e miraas maaf kara lete he’n, Yaad rakhiye k Rasmi tor per Behno ke maaf karne Se Aap hargiz bari zimme nahi ho sakte,*

*✿_ Khulasa ye he k Haraam ko halaal banane aur be Zaban mazloom Behno ka hissa e miraas hazam karne ki Jo chale bhi chali jati he Wo Shar’an mardood aur Baatil he ,Salaamti isi me he k Saaf Dil se unka poora hissa Unke Qabze me de diya jaye,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Tarka per Qabza kar Tijarat karna aur Tarka me se Chori karna,*

*✿ _Ek kotahi ye ho rahi he k Mayyat ke inteqal ke baad Mayyat ka karobaar uski Zindgi me Jis Vaaris ke Qabze me hota he wahi baad me bhi us per qabiz rehta he aur usko chalata he, Jisse Karobaar badta rehta he aur ye sab Vaariso ki bager ijazat hota he,*

*⇛ Fir baad me ek Arsa guzar Jane ke baad Taqseem ka khayal aata he to fir asal aur nafa dono ki taqseem me sakht Jhagda hota he aur Sharai aitbaar se bhi us nafe me badi uljhane he’n, isliye pehle taqseem kar le uske baad sabki Razamandi se ya alag alag karobaar kare, Na-balig ki taraf se unka Vali shirkat ya adame shirkat ka maamla kar sakta he,*

*✿_ Ek Kotahi ye hoti he k Jo cheez jis Vaaris ke Qabze me aa jati he usko Wo Chhupa leta he ,Yaad rakhiye Qayamat ke din sab ugalna padega,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat, 241,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Beva Ke Mutalliq Kotahiya’n_,*

*☞_ Beva ko Nikaahe Saani karne per Miraas se Mehroom karna:- Baaz jagah ye dastoor he k Beva agar Doosra Nikaah kar le to use Marhoom Shohar ki Miraas se mehroom kar dete he’n, isliye Wo bechari apna hissa e miraas mehfooz rakhne ke liye Doosra Nikaah nahi karti ,aur Umr bhar Bevagi ke masaib bardasht karne ke saath Marhoom Shohar ke azeezo aqraba ke Zulmo sitam bardasht karti rehti he, Yaad rakhiye ye bhi sarasar Zulm aur Haraam he ,Nikaahe Saani karne ke bavjood Shar’an Beva ba dastoor apne hissa e Miraas ki Maalik rehti he,*

*☞ Beva ko Doosre Qabile ( ya Qaum) se Hone ki bina per Mehroom karna:- Sindh me ye rivaaz he k Jo Aurat Shohar ke Qabile se na ho use Shohar ke maal se hissa e Miraas nahi dete ,Ye bhi bahut bada Zulm aur Jahalat he ,Beva ka hissa Qurane Kareem ne bahar haal Farz kiya he Chahe Wo Shohar ke Khandan se ho ya kisi Doosre Khandan se,*

*☞_ Beva ka Na-haq Tamaam Tarke per Qabza karna:- Baaz Aurte’n Marhoom ke inteqal ke baad apne apne ko Tamaam manqool maal ka Maalik samajhti he ,Ye bhi Zulm he Jo cheez Shohar ne usko apni Zindgi me Marzul Maut se pehle Hiba karke Qabze me de di Wo beshak uski he, baqi sab Tarka mushtarak he ,Shar’an Qaayde ke mutabiq sab Vaariso per Taqseem karna waajib he,*

*☞ _Dulhan Mayke Ya Sasuraal me mar Jaye to uske Jahez ka Hukm:- Ek kotahi ye he k agar Dulhan apne Maayke me mar jaye to uska Tamaam saazo samaan aur Jahez vagera per Wo log Qabza kar lete he’n, aur agar Sasural me mar jaye to Shohar aur uske ghar wale Qabza kar lete he’n, Ye bhi sarasar na-jaa’iz he, Akhirat me ek ek paayi ka hisaab dena hoga,*
*⇨ Bahar haal Dulhan ke Jahez aur Tamaam Tarke me Dulhan ke tamaam Vaariso ka hissa he, Jinme Shohar bhi dakhil he aur Dulhan ke Walden vagera bhi, agarche Dulhan ka inteqal kahi bhi ho,*
*®_islahi inqlaabe Ummat,1/ 241-42,*

 
          *╂───────────╂*
*╠☞_ Marne se Pehle Bando ke Huqooq ki Maafi Talafi Zaruri he,*

*✿_ Huqooq ÚL ibaad ( Bando ke Huqooq ) ka maamla nihayat sangeen he ,kyuki Wo Sahibe Haq ki maafi ke bager maaf nahi hote⇛Ek Hadees me Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate he’n k:-*
*“_Jiske Zimme kisi ( Musalman Ya insaan ) bhai ka kuchh haq ho, Uski Aabru ke Mutalliq ya aur kisi qism ka, Wo Aaj usse maaf kara le ,ese waqt ( Hisaab ke din ) se pehle k Jab uske paas na dinaar hoga na dirham ,” (Mishkaat )*

*✿_ Huqooq ÚL ibaad 2 qism ke hote he’n ,ek maali, Doosre gair maali,*
*⇛ Maali Huqooq ke Mutalliq Zaroori Masail pichhe Tarka, Qarzo, Vasiyat aur Miraas ke Bayan me aa chuka he,*

*☞ _Gair Maali Huqooq,–*

*✿_ Roz marra ki Zindgi me Azeezo Aqarib ,Dost Ahbaab ke talluqaat me, Len den ke maamle me, Badgumani ki Vajah se Jhoot ya Dhokha se Aabru v maal ka nuqsaan, Ye sab Gunaah Kabira he Akhirat me is per shadeed azaab ki khabar Quran Hadees me di gayi he ,isliye laazmi aur zaroori he k Apni Zindgi ka jayza lekar apni Maut Se pehle maafi talafi ki jaye ,aur Allah Ta’ala se bhi un gunaho ke liye nadamat Tauba , Astagfaar kiya jaye,*

*⇛Agar kisi Vajah se haqdaaro se maaf karana mumkin nahi raha maslan Wo log mar chuke to unke liye hamesha magfirat ki Dua karte rahe aur isaale sawab bhi kare ,Ajab nahi k Allah Ta’ala Qayamat me unko raazi karke maaf karwa de,*

*✿_ iske bar aqs yahi sab baate doosro ki taraf se hamare saath bhi pesh aati he ,isliye sharafate nafs isi me he aur Aqal ka taqaza aur Shariyat ka mutalba yahi he k unko maaf kar dena chahiye, isse apne nafs ko itminaan hota he aur Doosre Shakhs ko Akhirat ki pakad Se BACHANE ka zariya bhi he aur ye baat Allah Ta’ala ko bahut Mehboob he,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Sadqa ke Mutalliq Kotahiya’n:-*

*✿_ Mareez ya uske mutalliqeen Sadqa karne me ek galti ye karte he k kisi buzurg marhoom ke naam ka khana pakwa kar Taqseem karte he’n ya khilate he’n ,aur usme unka ye aitqaad hota he k Wo buzurg khush hokar kuchh sahara laga denge,*
*⇛ Ye Aqeeda Shirk he ,Baaz log unki Dua ka yaqeen rakhte he’n aur Wo bhi is tarah k unki Dua Radd nahi ho sakti, ESA aitqaad bhi khilafe Shara he,*

*✿_ Baaz log Sadqa me Jaan ka badla jaan Zaroori samajhte he aur Bakre Vagera ko tamaam Raat mareez ke paas rakh kar ya mareez ka haath lagwa kar Khairaat karte he’n ya mareez ke paas zibah karte he’n aur ye samajhte he k mareez ka Bakre per haath lagane se tamaam Balaae’n Goya k uski taraf muntaqil ho gayi ,aur Jaan ke badle jaan de dene SE mareez ki jaan Bach jayegi,*
*⇛ Yaad rakhe ESA aiqaad khilafe Sharai he,*

*✿_ Baaz logo ne Sadqa ke liye khaas khaas cheeze muqarrar kar rakhi he Jese Maash,Tel aur paise Jinme amre mushtarak syaah rang ki cheeze maloom hoti he Goya k Bala ko kaali samajh kar usko door karne ke liye bhi kaali cheeze muntakhab ki gayi he’n ,Ye sab man gadant baate aur khilafe Sharai he,*
*⇛Baaz log Sadqa me gosht Vagera Cheelo ko dena Zaroori khayal karte he’n, Ye bhi galat he , Shariyat me Sadqa ka behtreen masarraf miskeen he,*
*®_islahi inqlaabe Ummat, 1/232,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ain Waqte Maut ki Rasme’n:-*

*☞ 1- Rona, Peetna aur Gireban Faadna:-*
*✿_ Aam tor per ek kotahi ye he k Mayyat ki Jaa’n Kani ke waqt bajaye iske k Kalma padhe ,Surah Yaseen padhe ,Mayyat ki sahuliyate naza aur Khatma bil khair ki Dua kare, Aurte’n Rona, peetna felati he’n, Us bechare ko naza ki takleef hi kya kam he Jo ye takleef aur deti he’n,*
*⇛Yaad rakhiye ! Buland awaaz se Rona chillana , Maatam karna aur gireban faadna sab haraam aur Gunaah he, Albatta Rona aaye to cheekhne chillaye bager Aansuo’n se Rone me koi harz nahi,*

*☞ 2- Bivi Bachcho ko Saamne karna:-*
*✿_ Ek na maqool harkat ye ki jati he k Baaz Aurte’n Marne wale ki Bivi ko uske saamne khada kar deti he’n ya Bivi khud hi saamne aa jati he aur mareez SE puchhte he’n k isko ya mujhko kis per chhore ja rahe ho ? Aur us gareeb ko jawab dene per majboor karti he,*
*⇛ Bade hi afsos ki baat he, uska ye waqt khaaliq ki taraf mutavajjah hone ka he, magar ye na layaq makhlooq ki taraf mutavajjah karna chahte he’n, Jo us per sarasar zyadti he ,hona ye chahiye k agar Wo khud bhi bila zarurat Sharai ke is Aalam ki taraf mutavajjah ho to uski tavajjoh Haq Ta’ala Shanh ki taraf fer di jaye,*

*⇛Baaz Avqaat mareez ke Bachcho ko uske saamne lati he k inka kaun hoga ?,Zaroori ye he k Jaa’n kani ke waqt mayyat ke paas samajh dar Deendar log ho,*

*®_ islahi inqlaabe Ummat, 1/234,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Bad Faali se Yaseen na padhna aur Mayyat se door rehna , Ya Kalme ki Talkeen me had se badhna:-*

*✿_ Baaz log ye karte he’n k badfaali ke khayal se ya Deen ki Azmat Dil me na hone se na us waqt Surah Yaseen padhte he’n aur na uska padhna gawara karte he’n aur na Kalma ka ahatmam karte he’n, Na mayyat ko Kalma ki taraf mutavajjah karte he’n, balki fizool baato me aur un kaamo me lag Jate he’n jisku zarurat baad me hogi ,Ye sab Jahalat ki baate he,inse bachna laazim he,*
*⇛Baaz jagah Mayyat ke Vaaris maal v daulat, Rupiya paisa, saazo samaan per Qabza karne ki fikr me bhaagte firte he’n aur mareez ke paas koi nahi rehta Wo Tanha hi khatm ho jata he ,Badi nadaani aur Zulm ki baat he,*

*✿_ Baaz log Mareez ke paas is bina per nahi beth te k inhe Bimari lag Jane ka khof rehta he. Halanki Allah Ta’ala ke hukm ke bager koi Bimari kisi ko nahi lag sakti ,Chunache dekha jata he k aksar jagah kuchh bhi nahi hota, isliye esa karna badi sangdili ki baat he, hargiz Vaham na kare ,Mareez ko Tanha na chhode aur uski Dil Shakni na kare,*

*☞_ Kalme ki Talkeen:-*

*✿_ Baaz log Marne wale ko Kalma padhwane me is qadar sakti karte he’n k uske pichhe hi pad Jate he’n,Wo padh bhi leta he fir bhi chahte he k Wo padhta hi rahe,*
*⇛Baaz log isse badh kar ye zyadti karte he’n k Marne wale se Akhir tak baate karana chahte he’n, Albatta Shar’an kisi baat ko maloom karna Zaroori ho maslan kisi ki Amanat ,Qarz ka Len den, koi aur haq e waajib ho to use maloom karne me koi muzayqa nahi balki Zaroori he basharte k mareez batlane me naqabile bardasht takleef me na ho,*

*⇛Baaz log us bechare ko Qibla rukh karne me ye karte he’n k uska tamaam Badan aur moonh pakad kar beth Jate he’n,*
*⇛Yaad rakhiye, Qibla rukh karne ka matlab ye he k jab mareez per Shaaq na ho ya Jab Wo Bilkul behas v harkat ho jaye us waqt Qibla rukh kar diya jaye ,na ye zabardasti karke usko takleef Pahunchaye,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat- 1/237,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Naza ki Haalat me Na Mehram Mard ko dekhna, Mehndi lagana:-*

*✿_ Ek be ahatyati ye hoti he k naza ki haalat me na-mehram Aurte’n uske saamne aa khadi hoti he’n aur Parde ko bhi Zaroori nahi samajhti ,Ye badi Jahalat ki baat he, kyuki agar usko hosh he k Wo dekhta aur samajhta he tab to uske saamne aana aur dekha Jaa’iz nahi Aur agar itna hosh nahi to bhi chahe mareez na dekhe magar un Aurto’n ne bila zarurat na-mehram ko dekha, Hadees Sharif me iski muma’anat aayi he, isliye na-mehram Aurte’n hargiz mareez ke saamne na aaye,*

*⇛isi tarah baaz Mard BHI na-mehram Aurat ke saamne chale Jate he’n aur dekhne lagte he’n,so unke liye bhi esa karna Jaa’iz nahi,*

*☞_ Aurat ke Mehndi lagana:-*

*✿_ Baaz jagah ye qabeeh Rasm hoti he k Jab kisi Aurat ke inteqal ka waqt qareeb hota he to doosri Aurte’n uske haatho per Mehndi lagati he ,aur isko masnoon samajhti he, Yaad rahe ye masnoon nahi balki na-jaa’iz he,*


          *╂───────────╂*
*╠☞_Maut ke Waqt Mahar Maaf karana,*

*✿_ Ek kotahi Jo Aam he ye he k Jab koi Aurat Marne lagti he to usse kehte he k Mahar Maaf kar de ,Wo maaf kar deti he aur Shohar is maafi ko Kaafi samajh kar apne aapko Mahar Ada karne se bari zimma samajhta he ,aur koi Vaaris maange bhi to nahi deta ,*

*⇛Yaad rakhiye ! Avval to us waqt is tarah maaf karwana badi sangdili ki baat he ,doosre agar Wo poore tarah hosh me ho aur khush dili se maaf bhi kar de to bhi Mahar maaf nahi hoga ,Kyuki pichhe Marzul maut ke Masail me maloom ho chuka he k Marzul maut me maafi ba hukme Vasiyat he aur Vasiyat Shohar ke liye nahi ki ja sakti ,Kyuki Vaaris ke haq me Vasiyat Baatil he,*
*⇛Albatta agar Aurat ke doosre Vaaris Jo Aaqil Baalig ho Wo apna apna hissa e miraas is Mahar me se ba-khushi chhor na chahe to chhor sakte he’n, lekin Jo Vaaris majnoon ya Na-balig ho uska hissa uski ijazat se bhi maaf nahi hoga,*
*®_islahi inqlaabe Ummat ,1/238,*

*✿_ Ek kotahi baaz logo me ye hoti he k Jiska inteqal hone lage ,agar usne Mahar Ada na kiya ho to uski Bivi ko majboor karte he’n k apna Mahar maaf kar de ,halanki Bivi is per bilkul raazi nahi hoti he magar logo ke israar karne per ya Rasm se majboor hokar Sharma sharmi me maaf kar deti he,*
*⇛Yaad rakhiye ! Is tarah Mahar Maaf karwana Jaa’iz nahi ,bada Zulm he ,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Izhaare Gam me Gunaaho Ke Kaam:-*

*✿_ Bahut si jagah Rone peetne me Aurte’n be -parda ho jati he’n aur Parda ka bilkul khayal nahi rakhti,*
*⇛ Baaz jagah isse bad kar ye gazab hota he k Noha karne walo aur Waliyo’n ki Tasveere ( photos) khichi jati he’n aur Akhbaraat me chhapwayi jati he ,Ye bhi haraam aur Gunaahe Kabira he,*

*✿_ Baaz jagah Aurte’n gam ke moqe per apne na-mehram Azeezo maslan Dever, Chachazaad, Ya khalazaad Bhai vagera se lipat lipat kar roti he’n ,Ye bhi Haraam he ,Kyuki Ranj o gam me Shariyat ke Ahkaam khatm nahi ho Jate,*

*✿_ Baaz jagah ouper ki Aurte’n deeda v danishta esi baate karti he’n jisse Rona aaye aur baaz Aurte’n ban ban kar ba takalluf roti he ,Ye sab galat v mamnoo he,*

*✿_ Baaz jagah ghar ki aur biraadri ki Aurte’n Mayyat ke ghar se nikal te waqt noha karti hui ghar ke bahar tak aa jati he’n ,aur tamaam gair Mardo ke saamne be hijaab ho jati he’n ,Ye sab na-jaa’iz aur haraam he,*

          *╂───────────╂*
            *╠☞_ Post Martam:-*

*✿_ Aaj kal hadsaat me halaak hone ya Qatl hone walo ka Post Martam kiya jata he aur Jism ko cheer faad kar andruni hisse dekhe Jate he’n, inme zyada tar soorte’n esi hoti he’n Jaha Post Martam Sharai zarurat ke bager kiya jata he ,Jo Jaa’iz nahi,*

*⇛Aur agar kahi Sharai zarurat ho yani kisi doosre zinda Shakhs ki jaan bachane ya kisi ka maal zaay hone se bachane ke liye Post Martam zaroori ho to isme bhi Sharai Ahkaam maslan Satar aur Ahatraame Mayyat vagera ka lihaaz rakhna zaroori he ,aur Faarig hone ke baad uske tamaam A’aza ko Dafan kar dena Zaroori he,*

*📓_ imdadul Fatawa, 1/508 v Kifayatul Mufti ,4/188,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Tajheez v Takfeen aur Tadfeen me Takheer, Sila huva Kapda aur Musalla banana,*

*✿_ Baaz jagah Mayyat ke maal v dolat ki jaanch padtaal ya taqseem e Tarka ke intezam v ahatmam ya Dosto aur Rishtedaro ke intezar ya Namaziyo ki Kasrat ya esi hi aur kisi Vajah se Mayyat ki tadfeen me der karte he’n, yaha tak k baaz jagah poore 2 din Mayyat ko pada rakhte he’n, Ye sab na-jaa’iz aur mamnoo he,*
*📓 Dalilul Khairaat,*

*✿_ Baaz jagah ye Rasm he k Mayyat ki Tajheez v Takfeen se pehle guthliyo per ek laakh martaba Kalma Taiyaba padhwana Zaroori samajhte he’n aur iski takmeel ke waaste doosro ko bulawa dete he aur unhe majburan aana padta he aur Jo Shakhs na aaye ya shareeq na ho sake to Wo Janaza aur Taziyat me bhi nadamat ki vajah se Shirkat nahi karta he, isme bhi bahut si kharabiya he’n aur Tajheez v Takfeen me bhi takheer hoti he ,isliye ye Rasm bhi Waajib ÚL tark he,*
*📓_ imdadul Ahkaam, 1/103,*

*☞ _Mayyat ko Sila huva Pajama Topi pehnana,*
*✿_ Baaz jagah Mayyat ko Kafnane ke waqt Mard ho ya Aurat Pajama aur Topi pehnate he’n ,Ye na-jaa’iz he ,*
*📓 Fatawa Darul uloom Mukammal v Mudallil ,5/271,*

*☞ Mayyat ke Kafan se bacha kar imaam ka Musalla banana,*
*✿_ Ek Aam Rasm ye bhi he k Mayyat ke Kafan se bacha kar koi gaz bhar kapda ya zyada Khareed lete he’n ,Jo Namaze Janaza ke baad imaam ka haq samjha jata he, Baaz jagah ouper ki chaadar bhi imaam ko de di jati he, So ye Musalla aur Chaadar banana hi galat he ,Kafan ke masarif se iska koi talluq nahi ,imaam ka inme koi haq nahi aur mushtarak Tarke se iska Sadqa me dena bhi Jaa’iz nahi,*
*📓Ahsanul Fatawa- 1/379,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Mayyat ke Seene aur Kafan per Kalma likhna aur Shajra v Ahadnama Rakhna, imama pehnanna aur imaam ka khat rakhna, Surma lagana:-*

*✿_ Baaz jagah Mayyat ke Seene ya peshani ya Kafan per Kalma Taiyaba, Kalma e Shahadat, Aaytul kursi aur Digar Ayaat aur Duae’n roshnai ( ink ) Vagera se likhi jati he ,is tarah likhna Jaa’iz nahi, Kyuki Mayyat ke fatne se be hurmati hogi,*
*⇛Albatta bager Roshnai ke sirf ungli se kuchh likh diya jaye k likhne ke nishan Zahir na ho to ye Jaa’iz he ,Ba-sharte k isko bhi masnoon ya mustahab ya zaroori na samjha jaye ,Varna ye bhi Bid’at aur Waajib ÚL Tark hoga,*
*📓 Ahsan ÚL Fatawa, 1/351,*

*✿_Baaz log Mayyat ke seene per Ahadnama ya Shajra ya Surah Yaseen Vagera rakh dete he ya fir likh kar uske saath Qabr me rakh dete he’n, Mayyat ke galne sadne se iski be-adabi hoti he ,Lihaza isko bhi Tark karna chahiye,*
*📓islahi inqlaabe Ummat, 1.241,*

*✿_ Baaz jagah Ulma aur Sardaro Vagera ki Mayyat ko Kafan ke teen kapdo ke alawa ek adad imaama bhi dete he’n ,So ye imaama dena makrooh he ,Khud Sarkare do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ko teen Yamani chaadro me kafnaya gaya tha, Jisme imaama nahi tha, Ahadees me iski sarahat mojood he,*
*📓_ imdadul Fatawa, 1/510 Fatawa DarÚL uloom Devband mudallil ,5/259,*

*✿_ Baaz Log Mayyat ko Kafan pehnane ke baad imaam e masjid ka likha hua khat Mayyat ke dono haatho me dete he’n ,Ye bhi be asal aur lagv he,*
*"_Baaz log Mayyat ki Aankho me Surma aur kaajal lagate he’n ,Sar aur Daadi ke baalo ko Kanghi bhi karte he’n, Baaz log nakhoon aur Baal katar dete he, Ye sab na-jaa’iz he,*
*📓_ Fatawa DarÚL uloom Devband mudallil ,5/256,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Namaze Janaza se Pehle aur baad me ijtimayi Dua karna,*

*✿_ Baaz jagah ye Rasm he k Mayyat ko Kafnane ke baad Janaza taiyaar karke Tamaam haazireen ijtimayi Tor per Fatiha padhte he’n aur Dua karte he’n aur Baaz jagah Namaze Janaza ke baad bhi ijtimayi Dua ki jati he,*
*⇛ Yaad rakhiye ! K Namaze Janaza khud Dua he ,Mayyat ke liye Jo Shariyat ne Dua muqarrar farma di he usme ijtimayi tor per Dua padhi jati he Wo Mayyat aur Tamaam Musalmano ke liye itni jaame aur mufeed Dua he k hum aur Aap Umr bhar soch vichhar se bhi isse behtar Dua nahi kar sakte, Namaze Janaza se pehle ya baad me ijtimayi Dua ya Fatiha padhne ka Shariyat me koi saboot nahi, isliye ye na-jaa’iz aur Bid’at he ,*

*✿ _Agar kisi ko Shubha ho k ye Dua to tamaam zinda Murda Musalmano ke liye har waqt Jaa’iz he, fir is moqe per Dua makrooh hone ki kya vajah he ,?*
*⇛Jawab ye he k Fuqha Kiraam Reh. ne infiradi tor per (alag alag) Dua karne se mana nahi farmaya, Mayyat ke inteqal ke waqt balki isse bhi pehle Ayadat ke zamane se uske liye fardan fardan (alag alag ) Dua maa'ngne ka saboot ahadees aur Fuqha ki kitaabo me mojood he, har Musalman ko akhtyar he,*

*⇛ Balki Behtar ye he k jab Wo kisi mareez ki Ayadat ko jaye to uske liye Dua kare aur agar uska inteqal ho jaye to uske liye Dua e Magfirat kare aur Dafan tak balki apni Zindgi bhar Mayyat ke liye DUA karta rahe, Tilawate Quran aur digar maali ,badni ibadato ka sawab karne ki koi muma’nat nahi he, ba-sharte apni taraf se koi esi baat ijaad na kare Jo Shariyat ke khilaf ho aur koi esi shart ya pabandi apni taraf se na lagaye Jo Shariyat me mojood nahi,*

*⇛Aur Rehmate Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Musalman Mayyat ke liye ijtimayi Dua karne ka tareeqa sirf ye muqarrar farmaya he jise Namaze Janaza kehte he ,infiradi Tor per har Shakhs har waqt Dua kar sakta he, lekin Jama hokar Dua karne ka saboot sirf Namaze Janaza ke Andar he, isse Pehle ya baad me jin jin moqo per Dua ke liye logo ko Jama kiya jata he ye logo ka apna banaya hua he tareeqa he aur Fuqha kiraam Reh. isi ijtima ko (Jama hone ko) makrooh aur Bid’at farmate he’n, Fatawa bazaziya me iski muma’nat ki sarahat mojood he,*
*📓Dalilul Khairaat, 51-53 v imdadul mufteen -444,*

*✿_ Aaj kal is per mazeed Sitam ye hone laga he k Jo Shakhs is Bid’at me shareek nahi hota us per taan tashnee ki jati he, Allah Ta’ala hum sabko har qism ki Bid’at aur Jahalat v gumrahi se mehfooz rakhe aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat per jeene aur usi per Marne ki Tofeeq ata farmaye,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Janaze Ya Qabr per Foolo ki Chaadar Daalna, Joote pehan kar Namaz padhna ,Photos Khichwana:-*

*✿ _Qabr per aur Janaza per Foolo ki chaadar daalne ka bhi ek RIVAAZ chal nikla he aur isko Tajheez v Takfeen ke Amaal me se ek Amal samjha jata he,*
*⇛Aur Qabr per Agarbattiya’n Jalayi jati he, Halanki Quran v Sunnat aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum aur Aaimma Mujtahdeen se in teeno umoor ( ( Janaze per Foolo ki Chaadar ,Qabr per Foolo ki Chaadar aur Agarbattiya Jalana ) ka koi saboot nahi ,Lihaza ye bhi Bid’at aur na-jaa’iz he ,*
*📓 imdadul Ahkaam 1/92 v Ulma ka muttafiq Faisla,*

*☞ Namaze Janaza ke Photo chapwana:-*
*✿_ Dore Haazir ki ek laanat ye bhi he k Namaze Janaza ke Photos Akhbaraat me chhapwaye Jate he’n aur Photo me mumtaz Shakhsiyaat ko numaya karne ki koshish ki jati he, Halaki Ye Tasveer Kashi Haraam he,*
*"_ Baaz log Mayyat ka moonh khol kar uska bhi photo khichte he’n taki bator yaadgar usko rakhe, Yaad rakhiye ! Tasveer kashi mutlaqan haraam he ,Lihaza Mayyat ka photo Lena bhi haraam he ,Photo khichne aur Khichwane wale dono gunahe Kabira ke murtakib hote he’n,*

*☞_ Joote pehan kar Nsmaz e Janaza padhna:-*
*✿_ Ek Kotahi aam tor per ye ho rahi he k log roz marra ke were istemal Joote pehan kar ya unke ouper qadam rakh kar Janaze ki Namaz padh lete he’n aur ye nahi dekhte k Wo Joote paak bhi he ya nahi ?*
*⇛Halanki agar Joote pehne pehne Namaz padhi jaye to ye Zaroori he k Zameen aur Joote ke Andar aur niche ki dono Janib paak hona chahiye, Varna namaz na hogi aur agar Joote nikaal kar us per qadam rakh le to ye Zaroori he k Jooto ka ouper ka hissa Jo payr se niche he Paak hona chahiye agarche niche ( tala ) napaak ho, Agar ouper ka hissa bhi napaak ho to is per Namaz durust nahi hogi,*
*📓imdadul Ahkaam 1/740,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Buland Awaaz se Niyat Karna, Mayyat ke Saath Buland Kalma Shahadat padhna, Janaze Ke saath Anaaj, Paisa aur Khana bhejna:-*

*☞_ Buland Awaaz se Janaze ki Niyat karna:-*
*✿_ Baaz jagah dekha jata he k log Janaze ki niyat Buland Awaaz se karte he’n, So iski bhi koi asal nahi he ,Albatta imaam ittefaqan kabhi TALEEM ki garz se Janaze ke Niyat batla de to isme koi muzayqa nahi durust he, lekin iska mamool bana Lena aur Zaroori samajhna Bid’at he,*

*☞_ Janaze ke Saath Kalma Shahadat Buland Awaaz se Padhna:-*
*✿_ Ek Rasm ye padh gayi he k mayyat ko kandha dete waqt aur dorane Raah ek ya kai Aadmi Buland Awaaz se Kalma Shahadat pukaarta he aur Sab hazireen Buland Awaaz se Kalma Shahadat padhte he’n , halanki Janaze ke Saath Buland Awaaz se Kalma Shahadat, Taiyaba ya aur koi Zikr karna Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat nahi he ,is moqe per Aap Sallallahu Alaihivasallam khamosh rehte the ,Lihaza ye Rasm bhi Sunnat ke khilaf he aur Bid’at he,*
*®_ imdadul mufteen ,172,*

*☞_Janaze ke Saath Anaaj, Paisa aur Khana bhejna:-*
*✿_ Baaz jagah Janaze ke saath Anaaj ya paisa ya khana aage aage le jakar chalte he’n, Fir ye Anaaj Khane Qabristaan me taqseem hote he’n,*
*⇛Yaad rakhiye ! Isaale Sawab to bahut Achchha kaam he lekin isaale sawab ki ye apni taraf se Tay Karda soorat kahi se saabit nahi ,isliye ye Bid’at aur na-jaa’iz he,*
*®_ Dalilul Khairaat,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Adaabe Qabristaan ki Riayat na Rakhna:-*

*✿_ Ek Aam kotahi ye he k Qabristaan me pahunch kar bhi log Duniya ki baate nahi chhorte halanki ye ibrat ki jagah he, Qabr aur Akhirat ke marahil ,unki holnaakiya’n aur apne anjaam ki fikr karne ki jagah he,*

*⇛Qabristaan me dakhile ke waqt Ahle Qabristaan ko salaam karne ke Jo kalmaat he’n aksar log usse gaafil rehte he’n,*

*✿_ Aksar log Qabristaan me dakhil hone ka Maroof ( Aam ) raasta chhor kar Qabro ke ouper se falang kar Mayyat ki Qabr tak pahunchne ki koshish karte he’n, Baaz martaba Qabro per bhi chad Jate he’n, Yaad rakhiye ESA karna mana he, Maroof aur muqarrar raasta chahe lamba ho magar usi per chalna chahiye,*

*✿_ Baaz log Qabristaan pahunch kar Mayyat ke aas paas jam kar beth ( ya Khade ho ) Jate he’n, maqsad mayyat ki tadfeen ki kaarvahi dekhna hota he , lekin unke is Jama hone se Ahle mayyat aur Qabr banane walo ko bahut takleef hoti he aur Hujoom ( Bheed ) ki Vajah se aapas me bhi ek doosre ko aziyat hoti he , Kuchh Aksar Aas paas ki Qabro ko bhi apne Payro se buri tarah rondte he’n,*
*⇛ Yaad rakhiye ! Dafan ki kaarvahi dekhna koi farz ya Waajib nahi he ,Lekin doosro ko apne is tarze Amal se takleef dena haraam he ,aur Qabro ko rondna bhi Jaa’iz nahi, lihaza in gunaho se bachiye, Qabr ke paas sirf kaam karne walo ko rehne dijiye taki Sahulat se Wo apna kaam kar sake aur Jab mitti dene ka waqt aaye mitti de dijiye,*

*✿_ Baaz log Mitti dene me bhi Jaldbazi karte he’n aur ek doosre per chad Jate he’n aur sakht takleef pahuncha te he’n, Ye bhi na-jaa’iz he,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Mayyat ka Moonh Qabr ko dikhana, Sirf Chehra Qibla rukh karna, Amanat ke Tor per Dafan karna, Mayyat ke Sirhane Qul Padhi hui kankriya’n Rakhna:-*

*☞_ Mayyat ka moonh Qabr ko dikhana:-*
*✿_ Baaz log Mayyat ko Qabr me rakh kar uska moonh khol kar Qabr ko dikhlana Zaroori samajhte he ,Shariyat me iski koi Asal nahi he,*

*☞_ Mayyat ka Sirf Chehra Qibla rukh karna:-*
*✿_ Baaz log Mayyat ko Qabr me chit Lita dete he’n aur sirf Mayyat ka moonh Qibla ki taraf kar dete he’n, baqi Sara jism ko Karwat nahi dete ,Ye bhi Fuqha ki tasrihaat ke khilaf he ,balki Mayyat ke Tamaam Badan ko Achchhi tarah Karwat dekar Qibla rukh karna chahiye,*
*®_ islahi inqlaabe Ummat, 1/240,*

*☞_ Amanat ke Tor per Dafan karna:-*
*✿_ Baaz log Mayyat ko jiski doosre ilaaqe me maut ho gayi ho ya taboot vagera me rakh kar Amanat keh kar Dafan karte he’n, aur fir baad me kisi moqe per taboot nikaal kar apne ilaaqe me le jakar Dafan karte he’n,*
*⇛Yaad rakhiye ! K Dafan karne ke baad chahe amanatan Dafan kiya ho ya bager uske ,dobara nikaalna Jaa’iz nahi aur Amanatan Dafan karna bhi Shar’an be asal he,*
*®_ Azizul Fatawa ,1/342,*

*☞_ Mayyat ke Sarhane Qul Padhi hui Kankriya’n Rakhna :-*
*✿_ Baaz log Qul Padhi hui kankriya’n ya mitti ke dhele mayyat ke sirhane rakha karte he’n, Shar’an iska bhi koi saboot nahi, lihaza Bid’at he aur Waajib ÚL tark he, aur baaz log mayyat ke sirhane Roti Salan rakhte he’n, Baaz qabr me mayyat ke niche gadda bichhate he’n ,Ye baate bhi be asal he aur Wajibul Tark he,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Dafan ke Baad Munkar Nakeer ke sawalo ke Jawab batlana, Surah Muzammil v Azaan padhna, Qabr pukhta v Qubba banana :-*

*☞_ Munkar Nakeer ke Sawalo ke Jawab batana:-*
*✿_ Baaz log murde ko Qabr me Dafan kar chukte he’n to Qabr per ungli rakh kar mukhataib karke Qabr ke sawalaat ke jawabaat batlate he’n,*
*⇛Yaad rakhe ye rawafiz ka sha’aar he ,aur isme kai kharabiya’n he ,isliye ye Talkeen durust nahi, isse parhez Kijiye,*
*®_ imdadul Ahkaam -1/115 se 119)*

*☞ Surah Muzammil aur Azaan dena :-*
*✿_ Baaz jagah Dafan ke baad halka bana kar Surah Muzammil padhne ko ya ijtimayi Tor per haath utha kar Dua karne ko laazim samjha jata he aur Dafan ke baad Qabr per Azaan bhi dete he’n,*
*⇛Quran v Sunnat, Sahaba Raziyallahu Anhum v Tabaiyn Reh. Aaimma Mujtahdeen aur Salf Saleheen Reh. se kisi se iska koi saboot nahi milta, Lihaza ye Rasm bhi Bid’at he,*
*®_ Ulma Ka Muttafiq Faisla _,"*

*☞ Qabr ko pukhta banana:-*
*✿_ Qabr ko pukhta ( Pakki ) banane ka rivaaz bahut aam ho chuka he, baaz log chune ret se, baaz cement ient se aur baaz sange marmar se pukhta karwate he’n, Ye sab na-jaa’iz he, Ahadees me saaf saaf muma’anat mojood he,*
*®_ Fatawa Darul uloom Mukammal Mudallil, 5/388,*

*☞ Qabr per Qubba aur Katehra banana :-*
*⇛Baaz log Qabr ka balayi hissa to Kachcha rakhte he’n lekin Qabr ka baqi hissa yani daaye ,baaye aur aage pichhe ka hissa pukhta banwate he’n ,aur Qabr ke Charo taraf jaliya’n ya sange marmar vagera ka Katehra banwate he’n ,aur baaz log isse bhi aage bad kar Qabr ke ouper Qubba banwate he’n ,Ye sab na-jaa’iz aur Bid’at he, Ahadees me iski muma’anat aayi he,*
*®_ Fatawa Darul uloom Mukammal Mudallil, 5/395,*


          *╂───────────╂*
*╠☞_ isaale Sawab ke liye Khatm Ki Rasm ,( Rasme Sem )*

*✿_ Qabristaan se waapsi per Usi din ya doosre din ya Teesre Din Jama hokar Qurane Kareem ya Ayaate Karima Ya Kalma Taiyaba ka khatm hota he, Jiske liye Akhbaraat me bhi istehaar diye Jate he’n, Fir ijtimayi isaale sawab aur Dua ke baad hazireen ka kahi'n khana , Kahi'n naqad ya Kahi'n Sheerni vagera taqseem ki jati he ,*

*✿_ Avval to is tareeqe se Jama hokar Khatm aur isaale sawab ki Rasm ka Shariyat me kahi saboot nahi, isliye Bid’at he, doosri isme ye kharabi he k Dost ahbaab ,Rishtedar amuman mahaz shikayat se bachne ke liye aate he, isaale sawab hargiz unka maqsad nahi hota ,agar koi Shakhs ghar beth kar poora Quran bhi padh kar bakhsh de to ahle Mayyat hargiz raazi nahi hote aur na aane ki shikayat baqi rehti he ,aur Yaha'n aa kar YU'N hi thodi der beth kar koi Hila bahana karke chala jaye to shikayat se bach jata he ,*

*✿_ Jo Amal ese lagv maqasid ke liye ho uska kuchh sawab nahi milta, Jab padhne wale hi ko sawab nahi mila to Murde ko kya bakhshega ? Reh gaye fuqra masakeen ,unko agar ye maloom ho Jaye k waha'n jaa kar sirf padhna padega milega kuchh nahi to hargiz ek bhi na aayega,*

*✿_Maloom hua k unka aana bhi mahaz is tawaqqo se he k kuchh milega ,Jab unka padhna Duniyavi garz se ho to iska Sawab bhi nahi milega, fir Mayyat ko kya bakhshega ? Fir Quran khwani ko in Logo'n ne jaah v maal ka zariya banaya uska gunaah Sar per alag raha ,aur Jis tarah Quran Khwani ka Evaz ( return) Lena Jaa’iz nahi ,usi tarah dena bhi Jaa’iz nahi ,*

*✿_ isaale sawab aur Dua bahut achchha kaam he magar iske liye ikatthe hona, ya kisi khaas din, tareekh ya waqt ki koi qaid Shariyat ne nahi lagayi he ,Har Shakhs jab chahe , Jaha'n chahe kisi bhi ibaadat ka Sawab Mayyat ko pahu'ncha sakta he aur Dua kar sakta he, apni taraf se nit nayi qaide, sharte aur pabandiya’n badhana Bid’at aur na-jaa’iz he,*

*📓islahe Rasoom ,172,*

 
          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ahle Mayyat ki Taraf se Dawat, Mayyat ke Kapde Khairaat Karna, Chiraag Jalana:-*

*☞_ Ahle Mayyat ke ghar Dawat:-*
*✿_ Ek Rasm ye ki jati he k Dafan ke baad Mayyat ke ghar wale biradri vagera ko Dawat dete he’n,*
*⇛Yaad rakhiye ! K ye Dawat aur uska qubool karna dono mamnoo he, hargiz Jaa’iz nahi ,is qabeeh Rasm se ijtinaab laazim he,*

*⇛Allama Shaami Reh. Ne is Dawat ke Mutalliq likha he k ,” iske haraam hone me koi shak nahi_,"*
*"_Aur alawa Hanfi mazhab ke digar fiqhi mazhabo me maslan Shafai vagera ka bhi iske na-jaa’iz hone per ittefaaq bayan kiya he aur Musnad Ahmad v Sunan ibne maaja se Rivayat naqal ki jati he k Sahaba Raziyallahu Anhu ke zamane me bhi is Dawat ko na-jaa’iz samjha jata tha,*
*®_ imdadul Ahkaam, 1/115,*

*☞ _Mayyat ke Kapde, Jode Khairaat karna,*
*✿_ Ek Rasm ye bhi he k Mayyat ke inteqal ke baad uske Kapde aur Jode khaas kar istemal kapde Khairaat kar dete he’n, halanki Vaariso me aksar Na-balig Vaaris bhi hote he’n,*
*⇛Yaad rakhiye ! Mayyat ke tamaam Kapde aur Chhoti badi cheeze uska Tarka he ,Jisko Shariyat ke mutabiq taqseem karna Waajib he ,isse pehle inko Khairaat na kiya jaye ,Albatta agar sab Vaaris Baalig ho aur waha mojood ho aur khush dili se sab raazi ho kar de de ye Khairaat karna Jaa’iz he,lekin use zaruri ya Waajib samajhna fir bhi Bid’at he,*
*®_ islahi Rusoom ,171,*

*☞ Qabr per Chiraag jalana :-*
*⇛ Qabro per chiraag jalane ki Rasm bhi nihayat kasrat se ki jati he ,Shabe Juma ,Shabe Meraaj, Shabe Bara’at aur Shabe Qadr me aksar khaas tor per iska ahatmam hota he aur baqaayda Roshniya ki jati he, lighte lagwayi jati he, Ye sab Na-jaa’iz aur Bid’at he,*
*®_ Sunnat V Bid’at ,83,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Teesre Din Ziyarat Karna, Teeja Dasva Bisva aur Chalisva karna:-*

*☞_ Teesre Din Ziyarat karna:-*
*✿_ Baaz jagah khaas ahatmam se teesre din Mayyat ke mazaar per log haazri dete he’n, Jiski ibtida is tarah hoti he k sabse pehle Mayyat ke ghar Fatiha ,Fir Mahalle ke masjid me ek Fatiha, Fir Qabristaan jaa kar murde ki Qabr per ek Fatiha, fir waha se waapsi per 40 qadam per Fatiha, Fir Murde ke ghar per dobara ek Fatiha ,Ye tamaam Rasme aur Pabandiya’n mahaz Bid’at aur Waajib ÚL Tark he,*

*☞_ Tija , Dasva , Bisva aur Chalisva karna:-*
*✿_ Mayyat ke inteqal ke baad Tija karna, Dasva, Bisva aur bil khusoos Chalisva karne me ,Teen mahi aur Chhe mahi, Barsi karne ka aam rivaaj he aur in kaamo ko zaruri samajha jata he ,aur Jo na kare usko tarah tarah ke taane diye Jate he’n, Ye sab bhi Bid’at aur na-jaa’iz he,*
*®_ Ulma ka muttafiqa Faisla,*

*☞_ Shabaan ki 14 vi Tareekh ko Eid manana :-*
*✿_ Baaz jagah log Shabaan ki 14 vi Tareekh ko Murde ki Eid manante he’n aur qism qism ke khane ,halwe ,mashrubaat ,fruits vagera banwate he’n aur isaale Sawab ki garz se kisi gareeb ko de dete he’n,*
*⇛isaale sawab to pasandida aur sawab ka kaam he jiske liye Shariyat ne KOI din, tareekh aur khaano ki koi pabandi nahi lagayi, lihaza logo ka apni taraf se ye pabandiya’n badhana Bid’at he aur Murde ki Eid manana bilkul khilafe asal aur Na-jaa’iz he,*
*® Ulma ka Muttafiqa Faisla,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Ahle Mayyat ke Yaha Khana Bhijwane ki Galat Rasme’n, Urs Manana:-*

*☞ Ahle Mayyat ke Yaha Khana Bhijwane ki Galat Rasme’n,*
*✿_ Baaz Jagah Mayyat ke Rishtedaro ke yaha se unke liye khana aata he, ye bahut Achchhi baat he, balki masnoon he, lekin baaz jagah log isme bhi tarah tarah ki kharabiyo me mubtila he, Jinki islaah zaruri he,*

*⇛Maslan baaz Jagah Adla badla ka khayal rakha jata he aur khana tak dekha jata he k jesa humne diya tha wesa he ya kam Darje ka he ,? Qareebi Rishtedaro ki mojoodgi me agar door ka Rishtedar bhejna chahe to use bura samajhte he ,aur agar qareebi Rishtedar chahe tangdast ho badnami ke khof se pur takalluf aur Badiya khana bhejna zaruri samajhte he, Chahe iske liye Qarz Lena pade,*

*⇛Ye sab Rasme’n khilafe Shariyat he ,Khana bhejne me be takallufi aur saadgi se kaam Lena chahiye, Jis Azeez ko Tofeeq ho Wo khana bhej de, na usme adle badle ka khayal karna chahiye, na uska k qareebi Rishtedar hote hue door ka Rishtedar kyu bhej de ? Baaz log door ke Rishtedar ko hargiz bhejne nahi dete ,Ye sab umoor Qabile islaah he,*
*®_ islaahi Rusoom ,177,*

*☞ _ Barsi Manana :-*
*✿_"_ Aaj kal Ek Rasm ye hai k Jis Roz kisi ka inteqal ho jaye, Har Saal us Tareekh ko program kiya jata hai, Jalse Juloos mun'aqd hote hai'n, Dawate hoti hai'n aur bade Ahatmaam se isko manaya jata hai, Qur'an v Sunnat, Sahaba v Tabaien, Aaimma v Salfe Saleheen kisi se bhi iska koi Saboot nahi, Lihaza isko Tark karna Waajib hai _,"*

*☞_ Urs Manana :-*
*✿_ Aaj kal buzurgane Deen ke mazaro per badi dhoom dhaam se Muien Tareekho me Urs kiye Jate he’n aur apne liye baaise Barkat aur Sawab samajhte he’n,*
*⇛Yaad rahe Koi khaas Tareekh ki pabandi karte hue haazri aur Urs manana ,Mele lagana Bid’at he,*
*⇛Khususan Aaj kal gaane bajane, Be pardgi aur Tarah tarah ki haraam kaari ka rivaaj bhi Bahut ho gaya he, Allah Ta’ala in tamaam Bid’ato aur gunaho se bachne ki Tofeeq ata kare, ( Aameen Ya Rabbul Aalameen)*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Qabr per Chaadar Chadana, Mannat Maanna, Chadawa Chadana, Tawaf karna, Mujawar Banna:-*

*☞ Qabr per Chaadar Chadana, Mannat Maanna:-*
*✿_ Buzurgo ke mazaro per Kasrat se Chaadar Chadana, unke naam ki mannat maanne ka Aam rivaaj he, Ye sab khilafe Shariyat he aur mutlaqan haraam he,*

*☞_ Qabr per Chadawa Chadana :-*
*✿_ Shabe Juma ,Shabe Bara’at aur doosre moqo per mazaro aur Qabro per qism qism ke khane, mshrubaat, meve, Mithaiya’n Sahibe Mazar ko khush karne ke liye chadaye Jate he’n ,Ya mannat poori hone per rakhi jati he,*
*⇛Aur fir Qabr se utha kar Mujawar aur Hazireen me taqseem kar di jati he, Jisko Sahibe Mazar ka tabarruk samjha jata he,*
*⇛Yaad rakhiye ,ye Chadawa haraam he, kyuki Allah Ta’ala ke Siva kisi ki ibaadat Jaa’iz nahi aur usko halaal tabarruk samajhne me Kufr ka andesha he, Khuda ki Panaah !*

*☞_ Qabr ka Tawaaf aur Sada karna:-*
*✿_ Buzurgo ke mazaro per log Sajda karne aur Charo kono ka Tawaaf karne me bhi mashgool nazar aate he’n, Jinka mutlaqan haraam hona ek khuli hui baat he ,Balki ye kaam agar ibaadat samajh kar kiya he to Kufr he aur Sirf tazeem ke liye ho tab bhi haraam he aur gunaahe kabeera hone me to koi shak hi nahi ,al ayazAllah,*

*☞ _Qabr ka Mujawar banna:-*
*✿ _Baaz log ba Zahir tarke Duniya karke mazaraat per ja padte he’n aur Jo kuchh mazaraat per aata he us per Zindgi basar karte he’n, Aksar unme se Bhang ,Charas aur digar haraam me mubtila rehte he, So mazaraat per is tarah muqeem hona bilkul mamnoo he aur is galat Rasm me unki madad karna bhi Jaa’iz nahi,*

*®_ Sunnat v Bid’at ,76-77,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Aurto’n ka Qabristaan Jana aur Ujrat Dekar Quran Padhwana:-*

*☞ Aurto’n ka Qabristaan Jana:-*
*✿_ Aaj kal Qabristaan bil khusoos Buzurgo ke mazaro per Aurto’n ka Aana Jana kasrat se he, Jaanna chahiye k Aurto’n ke waaste Ziyarate Quboor ki ye Sharayat he’n ;:–*
*⇛1- Jane wali Aurat Jawan na ho, Budhiya ( old ) ho, 2- Khoob Parde ke saath jaye, 3- Fir Waha'n jaa Kar Shirk na kare, 4- Bid’at na kare, 5- Qabr per fool na chahdaye, Chaadar na chadaye, 6- Na Qabr wale se kuchh maa'nge, na mannat maane, 7-Rona, Dhona aur Noha baazi na kare, 8- Aur kisi khilafe Shariyat kaam ka irtkaab na kare,*

*⇛in Sharayat ki pabandi karne wali Aurat Qabristaan ja sakti he aur Jo Aurat in sharayat ki pabandi nahi kar sakti uska Qabristaan aur Mazaar per Jana haraam he,*

*⇛ Tajurba aur Mushahida bhi yahi he k Aurte’n in Sharayat ki qatan pabandi nahi karti, bil khusoos Urs vagera ke moqe per ,Jo Aaj kal sarasar Gunaah ,Bid’at aur Mufasid se bhara hota he, Lihaza Aurto'n Ka Qabro per Jana bila shubha Haraam aur na-jaa’iz he ,Hadees me esi Aurto’n per laanat aayi he,*
*®_ imdadul Ahkaam ,1/720,*

*☞_ isaale Sawab ke liye Ujrat per Quran padhwana :-*
*✿ _Baaz log esa bhi karte he’n k Marhoom ke isaale Sawab ke liye Ujrat per ek Aadmi rakh lete he’n, Jo rozana Marhoom ki Qabr per Qurane Kareem ki Tilawat karta he aur marhoom ko sawab pahu'nchata he,*
*⇛Yaad rahe Ujrat per ( paisa dekar ) isaale Sawab ke liye Qurane Kareem padhwana aur Padhna haraam he,*

*⇛Baaz log Aayate kareema aur Kalma Taiyaba ka khatm bhi baraye isaale Sawab Ujrat de kar karwate he’n ,So unka khatm bhi Ujrat dekar karwa na haraam he,*
*®_ Ahsan ÚL Fatawa ,1/375,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Isaale Sawab aur Sadqa Jaariya Ka Fayda :-*

*✿"_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Maine Suna Rasulullah ﷺ ko, farmate they - Jis ghar me koi mar jata hai aur ghar wale uski taraf se Sadqa karte hai'n to us Sadqe ke Sawab ko Hazrat Jibrail Alaihissalam Noor Ke Tabaq me rakh kar uski Qabr per le jate hai'n aur khade ho kar kehte hai'n:- Ey Qabr walo ! Ye Tohfa tumhare ghar walo ne Tumko bheja hai, isko Qubool karo, Pas Murda khush hota hai aur uske Hamsaya jinko koi Tohfa nahi pahu'ncha hai Gamgeen rehte hai'n _,"*
*®_ Noorul Sudoor- 138,*

*☞"_ Maa'n Baap ki taraf se Hajj karna:-*
*✿"_ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k farmaya Rasulullah ﷺ ne:- Jo Shakhs Apne Maa'n Baap ke marne ke baad unki taraf se Hajj kare to Allah Ta'ala Hajj karne wale ko Dozakh se Azaad karta hai aur Un dono ko poore poore Hajj ka Sawab milta hai bager kami ke _,"*
*®_ Noorul Sudoor-138,*

*☞_ Aulaad Ke istagfaar se Marhoom Walden ko Fayda Pahu'nchta hai :-*
*"✿_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nek Bande ko Allah Ta'ala Jannat me bahut bada darja inayat farmayega, Wo Tajjub kar ke kahega :- Ey Parwardigaar! Ye Darja Kaha'n se mujhe mila ? Allah Ta'ala farmayega - Tere ladke ke istagfaar aur Dua ki Barkat se _,"*
*®_ Noorul Sudoor- 140,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_ Marne Ke baad Saat Cheezo Ka Sawab milta rehta hai:-*

*✿"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k farmaya Rasulullah ﷺ ne - Jab Momin inteqal karta hai to uska Amal khatm ho jata hai, Magar Saat Cheezo Ka Sawab marne ke baad bhi pahu'nchta hai:-*
*"_1:- Jisne kisi ko ilme Deen sikhaya to uska Sawab barabar pahu'nchta rehta hai, jab tak uska ilm duniya me jari hai,*
*"_2:- Uski Nek Aulaad ho aur uske Haq me Dua karti rahe ,*
*"_3- Qur'an Shareef ( ka koi Nuskha ) chhod gaya ho ( log use padhte ho ),*
*"_4:- Masjid banwayi ho,*
*"_5:- Musafiro ke Araam ke liye Musafir Khana banwaya ho,*
*"_6:- Ku'nwa ya Nehar khudwayi ho,"*
*"_7:- Sadqa Apni Zindgi me diya ho,*

*✿"_ To jab tak ye Cheeze mojood rahengi, Un sabka Sawab pahu'nchata rahega _,"*
*®_ Noorul Sudoor-140,*

          *╂───────────╂*
*╠☞_Sadqa Jaariya Ki Do aur Soorte'n :-*

*✧"_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Farmaya Rasulallah ﷺ ne k - Jisne Kisi Ko kuchh Qur'an Shareef padhaya Ya Koi Mas'la bataya To Allah Ta'ala Uske Sawab Ko Qayamat Tak Zyada Karta hai, Yaha'n tak k Wo misl Pahaad Ke ho jata hai _," ( Noorul Sudoor -140)*

*☞"_ Murde Salam Ka Jawab dete hai'n:-*
*✧"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! Kya hamara Salam Murde Sunte hai'n? Aap ﷺ ne farmaya - Haa'n ! Sunte hai'n aur Jawab dete hai'n, magar Tum nahi Sun Sakte _," ( Noorul Sudoor - 103)*

*☞_ Marhoom Per Chaar Tarah Ahsaan Karo:-*
*✧"_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Ek Mard Nabi Kareem ﷺ ke paas aaya aur Arz kiya- Ya Rasulallah ﷺ ! Mere Maa'n Baap inteqal kar chuke, Koi Soorat esi ho sakti hai k Mai'n Apne Maa'n Baap per Ahsaan Karu? Aap ﷺ ne farmaya - Haa'n! Chaar Tareeqe se Tu unke Saath Ahsaan kar Sakta hai :-*
*1_ Ek To unke Haq me Dua Karna,*
*2_ Doosre Jo ( Achchhi ) Wasiyat ya Nasihat Tumko ki hai Us Per Qaa'im rehna,*
*3_ Teesre Jo Dost unke hai'n unki Tazeem aur izzat karna,*
*4_ Chothe Jo unka Khaas Qarabat wala hai uske Saath Muhabbat aur Mel Jol rakhna,*
*®_ Noorul Sudoor -125,*

*☞"_ Mayyat Ki Khoobiya'n bayan karo :-*
*✧_ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k farmaya Rasulullah ﷺ ne - Mayyat Ki Khoobiyo'n Ka zikr karo, aur Buraiyo'n se Apni Zubaan band karo _,"*
*®_ Noorul Sudoor - 134,*

*✧"_ Alhamdulillah Post Mukammal Hui ___,"*
 *_Ref✿┅╮*
    *↳📚 Ahkaame Mayyat,   
*(Hazrat Dr. Muhammad Abdul Ha'i Sahab Aarifi Reh.)*
     .     ═══─┉●┉─═══
        ║ *✍🏻Talibe Dua_*
        ║  _ *Haqq Ka Daayi_*
    http://www.haqqkadaayi.com
*👆🏻 Visit For All Posts _,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
  ╚═════════════┅┄ ✭✭   
*💕ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd 💕,* 
╘═━┅━┅━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅═╛

Post a Comment

0 Comments