SHAB E BARA'AT KE A'AMAAL-(ROMAN)

*🎍﷽ 🎍*              
      ┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
*●• SHAB E BAR'AT- KE -A'MAALL •●* ╥────────────────────❥ 
*☞_ Mubarak Raato me payi Jane wali Chand umoomi galtiyo’n Kï islaah ,*
*❉ 1- is Raat me ibaadat ka koi khaas tareeqa Saabit nahi ,Jesa Amuman samjha jata he ,Chunache baaz log is Raat Kï khaas Namaze bayan karte he’n k itni Raka’at padhi jaye ,Fala Raka’at me fala soorat itni martaba padhi jaye ,*
*⇏Khoob samajh Lena chahiye k esi koi Namaz ya ibaadat is Raat me Saabit nahi ,balki nifli ibaadat jis qadar ho sake is Raat me anjaam deni chahiye, Nifli Namaze padhe ,Qur’an Kareem Kï Tilawat kare ,Zikr kare, Tasbeeh padhe ,Duae’n kare, ye saari ibaadate is Raat me Kï ja sakti he, lekin koi khaas tareeqa saabit nahi ,*

*❉ 2:- Ba- Barkat Raato me jaagne ka matlab poori Raat jaagna nahi hota balki asaani ke saath jis qadar jaag kar ibaadat karna mumkin ho ibaadat karna chahiye aur jab neend ka galba ho to so Jana chahiye,*
*⇏Baaz log poori Raat jaagne ko zaroori samajhte he’n aur isko haasil karne ke liye poori Raat jaagne Kï bataklluf koshish karte he’n, aur jab neend ka galba hota he to Aapas me gap shap, Hansi mazaaq, Paan gutka aur Khane Peene Chaay Vagera ke andar mashgool ho jate he’n aur Masjid ke adaab v taqaddus Ko bhi pamaal kiya jata he ,*
*⇏Yaad rakhiye ! Is tarah fizooliyaat ya kisi gair Shara’i kaam me lag kar ” Neki barbaad aur Gunaah laazim ” ka misdaaq nahi banna chahiye ,*

*❉ 3:- Guroobe Aftaab hi se is Raat Kï ibtida ho jati he lihaza magrib hi se Mubarak Raato Kï barkat ko sametne me lag Jana chahiye, isha ke baad ka intezar nahi karna chahiye,*
*⇏Jesa k umoonan dekhne me aata he k log Raat ko jaagne ka matlab ye samajhte he’n k 11-12 baje Jab Bistar per Jane ka waqt hota he ,us waqt Bistar per Jane ke bajaye Masjid me jaa kar ibaadat Kï jaye ,is galat fehmi Kï Vajah se Raat ka ek bada hissa zaay ho jata he ,*

*❉ 4 :- Mubarak Raato me Jaagne ka matlab sirf jaagna nahi balki ibaadat karna he ,Chunache sirf Hansi mazaaq, gap shap Baat cheet ,Khane pine pilane ke daur me jaagte hue Subeh kar dena koi ibaadat nahi ,*
*⇏Balki baaz Avqaat in Azeem aur Ba-barkat Raato me bhi Jhoot, Chugal khori Geebat karne Sunne jese bade gunaho me shamil ho kar insaan aur bhi bade Azaab ka Mustahiq ban jata he, isliye infiradi tor per yaksui ke saath jis qadar asaani se mumkin ho ibaadat karni chahiye aur har qism ke Halle gulle se bilkul bachna chahiye,*

*❉ 5 :- Mubarak Raato me ijtimayi ibaadat ke bajaye infiradi ibaadat ka ahatmam karna chahiye isliye k in Raato me ijtimayi ibaadat ka Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se koi saboot nahi ,isliye Jo khuloos ,yaksui aur Allah Ta’ala ke saath raazo niyaaz infiradi ibaadat me naseeb ho sakta he Wo ijtimayi ibaadat me kaha’n ….!!* ╥────────────────────❥ 
*☞ ●•· *Mubarak Raato ko Kaise Guzare’n:-*
*"_1:- Tauba V istigfaar,*
*❉_ Do Raka’at Salatut Tauba padh kar Sachchi Tauba kare, Apne Gunaaho per Sharmindgi v/Nadamat ke saath Allah Ta’ala se Sachche Dil se Maafi maange ,*
*⇏Chunache Shabe Qadar ke bare me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma ne jab Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Sawal kiya k Ya Rasulallah ! Agar Mai’n Shabe Qadar paa lu to usme kya padhu ,*
*⇏To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko koi bada Zikr ya koi badi Namaz aur Tasbeeh padhne ke liye nahi kaha balki ek Mukhtasar aur asaan si Dua Talqeen farmayi Jisme afu darguzar Kï darkhwast Kï gayi he ,:-*
*__ اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي _,*

*“_ Ey Allah Tu bahut maaf karne wala he, maaf karne ko pasand farmata he ,pas Tu mujhe maaf farma de ,”*
*📚 Tirmizi : 3513*

*❉ _ isse maloom hua k Ba- Barkat Raato me Sabse bada karne ka kaam umuman log nahi karte Wo ye he k Apne guzishta Zindgi per Sachche Dil Se Sharmshar ho kar Aainda Zindgi me amalan tabdeeli lane ka sachcha iraada kar le k Tauba istigfaar kiya jaye ,Ye Amal Mubarak Raato Kï barkato ko sametne ka sabse aham aur sahi Tareeqa he ,*
 
*☞_2:- Namaze Ba- Jama’at Kï adaaygi*
*❉_ is Raat me Teen Namaze aati he’n ,Magrib, isha aur Fajar ,in Teeno ko Jama’at ke saath Safe Avval me Khushu v Khuzu ke saath ada Kijiye,*
*⇏Kam Se kam in Namazo ko Jama’at ke saath ada karne wala Raat Kï ibaadat se Mehroom nahi rahega,*

*❉_ Chunache Hadees Sharif me aata he ,Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he ::—*
*⇏Jisne isha Kï Namaz jama’at ke saath ada Kï usne Goya Aadhi Raat ibaadat Kï aur Jisne Subeh Kï Namaz Jama’at ke saath ada Kï usne Goya usne poori Raat namaz padhi ,*         
*📚 Muslim Sharif ,:- 656* 
 
    *☞_ 3:- Qaza Namazo Kï Adaygi ,*
        
*❉ _Zindgi me Jo Namaze ada karne se reh gayi ho unko qaza karna laazim hota he Unki qaza na Kï jaye to kal Ba- Roze Qayamat unk hisaab dena hoga Jesa pehle Tauba ke Sharayat me guzra un Shara’i Wajibaat ko ada karna aur unse Subuk dosh hona zaroori he ,*
*⇏Lihaza apni Tauba Kï takmeel Kï niyat Se Zindgi bhar Kï namazo ka hisaab kar ke unki qaza karne Kï fikr Kï jani chahiye aur Mubarak Raato me Nifli ibaadato me mashgool hone se ba dajaha behtar un namazo Kï qaza ko ada kiya jaye, in Sha Allah isme nawafil me mashgool hone se Zyada sawab haasil hoga ,*
*__Kyuki Nawafil na padhne ka hisaab nahi Jabki Farz Namaz Kï agar qaza na Kï jaye to uska hisaab he ,*

*☞ Qaza Namaze Padhne ka Tareeqa ::– _iska Tareeqa ye he k Baalig hone ke baad se le kar ab tak Jitni Namaze Chhooti he’n unka hisaab kare aur mumkin na ho to gaalib gumaan ke mutabiq ek andaza aur takhmeena lagaye aur usko kahi likh le uske baad uski qaza karna shuru kar de ,*

*❉_ Aur isme asaani ke liye yu’n kiya ja sakta he k Har waqti Namaz ke saath wahi ( Usi waqt Kï Jo zimme he’n ) qaza bhi padh te jaye aur Jitni Namaze qaza ada hoti jaye unko likhe hue record ( Jo hisaab laga kar likha gaya tha ) me se kaat te jaye ,*
*⇏isse in Sha Allah Mahine me ek Mahine Kï Aur saal me ek saal Kï Namaze badi asaani ke saath qaza ada ho jayegi ,*

*☞ Qaza Kï Niyat ::–⇏Qaza namazo me Niyat karne ka ek tareeqa ye he k Har Namaz me yu’n niyat kare k ” Mai’n apni Tamaam faut Shuda Namazo me Jo pehli Namaz he uski qaza karta hu’n ,”*

*❉_ Kyuki har pehli Namaz qaza kar lene ke baad usse agli khud ba khud pehli ban jayegi ,* ╥────────────────────❥ 
*☞ _Kuchh Fazilat wale A’amaal ::–*
*"_ 1- Avvabeen Kï Namaz*        
*❉_ Jesa k pehle arz kiya ja chuka he k Mubarak Raato me koi makhsoos Amal to saabit nahi, Albatta fazilat wale A’amaal Jinme Kam waqt ke andar Zyada Nekiyo’n ka zakheera Jama kiya ja sakta he, Unko bager kisi takhsees v taiyyan ke Akhtyar kijiye taki zyada se Zyada Nekiya’n Jama Kï ja sake ,*

*❉_ 1:- Avvabeen Kï Namaz ::– Magrib ke baad Avvabeen Kï Namaz Jiski kam se kam 6 Raka’at he aur Zyada se Zyada 20 he’n ,*
*⇏Aap koshish Kijiye k Mubarak Raat Kï barkato’n ko sametne ke liye 20 Raka’at ada Kijiye Hadees ke mutabiq 12 saal Kï ibaadat ka sawab haasil hota he ,*

*❉_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,:-*
*⇏Jisne Magrib Kï Namaz ke baad 6 Raka’at is tarah ada Kï k unke darmiyan koi buri Baat na Kï ho to unka sawab baarah (12 ) saal Kï ibaadat ke barabar hota he ,*  
*📚 Tirmizi :- 435*

*❉_ Yaad rahe k Avvabeen Kï Namaz Kï ye fazilat sirf Mubarak Raato me nahi balki poore saal bhar is fazilat ko sirf Chand minuto me asaani se haasil kiya ja sakta he, Mubarak Raato me ese A’amaal ka to aur bhi Zyada ahatmam aur tavajjoh se Akhtyar karna chahiye ,* ╥────────────────────❥ 
*☞ _2 :- Salaatut Tasbeeh Kï Namaz*
*❉_ Salatut Tasbeeh Kï 4 Raka’ate he’n, Jinko ek salaam se padha jata he, is namaz Kï Ahadees me badi fazilate’n manqool he’n, insaan iske zariye kam se kam waqt ke andar zyada se Zyada NAFA haasil kar sakta he,*
*⇏isliye saal bhar me waqtan fa waqtan iske padhne Kï koshish karni chahiye aur Mubarak Raato me to isko aur bhi Zyada ahatmam Se padhna chahiye aur ye koi mushkil nahi ,bas Dil me Neki ke husool ka jazba Shoq hona chahiye, Allah Ta’ala Amal Kï Tofeeq ATA farmaye ,(Aameen ),*

*☞ Salatut Tasbeeh Ke Fazail :–*
*❉ 1 – Ye wo NAMAZ he Jiske padhne Kï barkat Se 10 qism ke Gunaah maaf ho jate he’n,*
*⇏Salat-ul-tasbeeh padhne se 1-agle , 2-pichle , 3-purane , 4-naye, 5-galti se kiye huye ,6- jaan bujh kar kiye huye,7- chote, 8- bade, 9- chhup par kiye huye ,10-aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf hote he’n ,*

*❉ 2: — Ye Wo Namaz he Jiske padhne Kï Jiske bare me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, :- Agar Rozana ,hafta ,Mahina ya kam se kam Saal me bhi agar padh sakte ho to to apni poori Zindgi me kam Se kam ek martaba padh lo, isse is Namaz Kï Ahmiyat ka andaza lagaya ja sakta he ,*

*⇏3 :– Ye Wo Namaz he Jiske bare me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k agar tum saari Duniya ke logo se bhi Zyada Gunahgar honge to tumhare Gunaah maaf kar diye jayenge,*

*❉ 4 :- Ye Wo Namaz he Jise Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne apne Chacha Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ko batate hue is Namaz ko Tohfa ,bakhshish aur khush khabri qaraar diya,*

*⇏5:- Ye Wo Namaz he Jisko padhte hue Bande ko 300 martaba Teesra Kalma Kï Soorat me Allah Ta’ala Kï Hamdo Sana karne Kï Sa’adat haasil hoti he ,*
*_Halanki Ek martaba Teesra Kalma padhne per Jannat me ek darakht lag jata he ,*
*_Teesra Kalma Allah Ta’ala ko sabse Mehboob Kalma he ,*
*_ Jannat ek chatiyal maidaan he aur Teesra Kalma Jannat ke Podhe he’n,*
*_ Teesra Kalma ke har ek Kalme ka sawab Uhad pahaad se Zyada he,*
*_ Teesre Kalme ka har Kalma A’amaal Naame me tulne ke aitbaar se sabse zyada wazni he,*

*❉ 6 :– Ye Wo Namaz he Jiska har zamane me Ulma e UMMAT, Muhaddiseen, Fuqha aur Soofiyo ne ahatmam kiya he ,*
*❉ 7 :- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Hazrat Abdul Azeez bin Ravvad Reh. Farmate he’n k Jiska jannat me Jane ka iraada ho uske liye zaroori he k Salatut Tasbeeh ko mazbooti se pakad le,*

*❉_ 8 :- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Hazrat Abu Usman Hyri Reh. Farmate he’n k Mai’n ne musibato aur gamo ke izaale ke liye Salatut Tasbeeh Jesi koi cheez nahi dekhi ,*
*❉ 9 :–Ye Wo Namaz he Jiske bare me Allama Taqiuddin Sabki Reh. Farmate he’n k Jo Shakhs is Namaz ki Fazilat v Ahmiyat ko Sun kar bhi gaflat Akhtyar kare Wo Deen ke bare me Susti karne wala he ,Sulha ke kaamo se door he ,Usko pakka Aadmi na samjha jaye,*
       *📚 Fazail -E – Zikr ,* ╥────────────────────❥ 
*☞_ Salatut Tasbeeh Ka Tareeqa ✦*
*✪_iske Do tareeqe manqool he’n ,Kisi bhi tareeqe ke mutabiq ye Namaz padhi ja sakti he ,*
            
*☞ Pehla Tareeqa ,*
*❉ _is Namaz ko padhne ka Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Mubarak se Tirmizi Sharif me mazkoor he ye k, Takbeere Tehrima ke baad Sana Yani ” Subhaanaka llahumma ” padhe Fir Tasbeeh yani* 
*”سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ _,*
*” Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar “ 15 martaba padhe ,*

*⇏ ,أعوذ بالله من الشيطان الرجيم _,*
*” A’uzubillahi minash shaytaanir rajeem ,”*      
     *_ ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ _,*   
*” Bismillahir rahmaanir raheem “Padhe Fir ” Alahamdu Sharif aur Soorat padhe ,fir qayaam me hi Ruku me Jane Se pehle hi Tasbeeh 10 martaba padhe,*                                           
*⇏Fir Ruku kare aur Ruku ki Tasbeeh ke baad wahi Kalamaa 10 martaba kahe, fir Ruku se uth kar qoma me ” Sami’allah…..” Ke baad 10 baar aur dono Sazdo me Sajde Kï Tasbeeh ke baad 10 – 10 baar aur dono Sajdo ke darmiyan bethne Kï haalat me Yani Jalse me 10 baar wahi kalamaate Tasbeeh padhe ,is tarah har Raka’at me 75 martaba aur 4 Raka’at me 300 martaba ye kalamaat Tasbeeh ho jayegi ,*

*⇏Aur agar in kalamaat ke baad ”*
*_ وَلا حَوْلَ وَلاَ قُوَّة ِ الَّا بِاللّهِ الْعَلِىّ الْعَظِيْم _,*
*Wa la hawla wa la quwwata illa bi-llahi-l-aliyyi-l-azeem “ bhi mila le to behtar he kyunki isse bahut sawab milta he aur ek Rivayat me in alfaz Kï zyadti manqool he,*

*☞ Doosra Tareeqa ,* 
*❉_ Doosra Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se Tirmizi Sharif me manqool he ,Wo ye he k ” Sana “ ke baad aur Alhamdu Sharif se pehle kisi Raka’at me in kalamaate Tasbeeh ko na padhe balki har Raka’at me Alhamd aur soorat padhne ke baad 15 martaba padhe ,aur Ruku aur qoma aur dono sajdo aur Jalsa me ba tarteeb 10-10 martaba padhe aur doosre Sajde ke baad beth kar yani jalsa istrahat me 10 martaba padhe ,is tarah har Raka’at me 75 martaba padhe aur dono qa’ado me” Attahiyaat ” se pehle padh le ,*

*❉ _ Ye Dono Tareeqe Sahi hai'n Lekin baaz Fuqha ne Doosre Tareeqe ko Tarjeeh di hai kyunki Hadees Marfoo se saabit hai, Behtar ye hai k Kabhi ek Rivayat per Amal kare aur Kabhi doosri per taki dono per Amal ho jaye, Salatut Tasbeeh me koi bhi soorat padhi ja sakti he ,Albatta alal tarteeb ” Takasur ,Asr , Kafiroon aur ikhlaas ” aur kabhi ” izazul ,aadiyaat ,izaajaa aur ikhlaas ” ka padhna behtar he,*

*❉ _ Agar Tabeeh Kalmaat bhool kar kisi jagah 10 se kam padhe jaye ya bilkul na padhe jaye to isko doosri jagah yani Tasbeeh padhne ke aage wale moqe me padh le taki tadaad poori ho jaye lekin Ruku me bhoole hue Kalmaat Tasbeeh Qoma me na padhe balki doosre Sajde me padhe Kyu'nki Qoma aur Jalsa ka ruku v Sajda se Taveel karna makrooh hai, Kalmaat Tasbeeh ko Ungliyo per Shumar na karna chahiye Balki agar Dil ke saath Shumar kar sakta ho is tarah k namaz ki huzoori me Farq na aaye to yahi behtar hai varna ungliya'n daba kar Shumar kare,*
*"_ Salatul Tasbeeh me Tasbihaat ko haatho se shumaar karna durust nahi, aur Agar yaad na rehta ho to ungliyo'n ko daba kar yaad rakha ja sakta hai _," ( Durre Mukhtar -2/28)*

*📓 Fazaile Zikr _,* ╥────────────────────❥ 
*☞_ Qayamul Layl ( Tahajjud ki Namaz ) Ka Ahatmam,*
*❉ _Tahajjud Fara’iz ke baad sabse Afzal Namaz he, Saal bhar balki Zindgi bhar iska Ahatmam karna chahiye aur Fazilat v Barakat wali Raato me iska aur bhi zyada Shoq V zoq aur tavajjoh se Ahatmam karna chahiye,*
 
*☞ _Tahajjud Kï Fazailat*
*❉ _Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he :-“Farz Namaz ke baad sabse Afzal Namaz Wo he Jo Raat ke darmiyan padhi jaye ,”*
*📚 Musnad Ahmad : 8507*

*❉_ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,:-*
*⇏Raat ke qayaam yani Tahajjud ko apne ouper laazim kar lo kyunki ye Tumse pehle Nek logo ka Tareeqa he ,Tumhare Rab ke qurb ka zariya he, Gunaho ko mitaane wali aur Gunaho ko rokne wali he ,”*
*⇏Ek Rivayat me iske saath ” Jism Kï Bimariyo’n ko door karne wali he ,” manqool he,*
*📚 Tirmizi : 3549*

*❉ _Hazrat Amru bin Absa Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n :-*
*⇏Banda Apne Rab ke sabse zyada qareeb us waqt hota he Jab Wo Raat ke Akhri pahar apne rab ke saamne haazir hota he ,Pas agar tum un logo me se hone Kï taaqat rakhte ho Jo us Ghari me Allah Ta’ala ko yaad karte he’n to Zaroor ho jao ,”*
*📚 Tirmizi : 3579*

*❉_ Hazrat Abu Saieyd Khudri Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he k ,*
*_ Teen Aadmi ese he’n Jinhe dekh kar Allah Ta’ala khush hote he’n, Ek Wo Shakhs jab Wo Raat KO Namaz me khada hota he ,Doosre Wo log jab Wo Namaz me saf baandhte he’n, Teesre Wo log Jab Wo Jihaad me Dushman Se qitaal karte hue saf baandhte he’n,*
*📚 Mishkaat ul Musabeh, :1228*

*❉ _Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate he’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya gaya k Konsi Dua sabse zyada suni jati he ( yani qubool hoti he ),*
*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,Raat ke Akhri pahar aur Farz Namazo ke baad maangi Jane wali Dua ,”*
*📚 Tirmizi : 3499*

*❉ _Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,*
*_ Beshak Jannat me ESE baala Khane he’n Jinka Zahiri hissa andar se aur Andruni hissa bahar se Nazar aata he,*
*_Ek Arabi Khade hue aur Sawal kiya ,*
*Ya Rasulallah ! Wo kiske liye he’n ?*
*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,*
*Uske liye Jo Kalaam me Narmi rakhe ,Khana khilaye ,Pe dar Pe Roze rakhe aur Raat ko Namaz padhe Jabki log so rahe ho ,”*
*📚 Tirmizi ; 1984*

*❉_ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,*
*⇏Meri ummat ke Sabse mu’azziz log Qur’an e Kareem ke Hafiz aur Tahajjud guzaar he’n ,”*
*📚 Shobul imaan : 2447*

*❉_ Hazrat Abdullah bin Salaam Raziyallahu Anhu Jo Yahudiyo’n ke ek bade Aalim the ( Islam se pehle ) unhone Sabse pehli Martaba jab Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka didaar kiya to farmate he’n k Mai’n samajh gaya k ye Chehra kisi Jhoote ka hargiz nahi ho sakta aur sabse Pehle Jo Baat Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmayi Wo ye thi ,:–*
*__Ey Logo ! Aapas me Salam ko felaao ,Khana khilao ,Silah Rahmi karo ,Raat ko Namaz padho Jabki log So rahe ho’n,Tum jannat me salaamti ke saath Dakhil ho jaoge ,”*
*📚 Tirmizi : 2485*

*❉_ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se marfuan Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal he k Jo Shakhs Raat ko kasrat Se Namaz padhta he Din ko uska Chehra Haseen hota he,*
*📚 Shobul imaan ,: 2447*

*❉_ In tamaam Fazail ko har Shakhs haasil kar sakta he, Jiska Tareeqa ye he k Apne aapko Tahajjud ka paband banaya jaye aur ye mamool Zindgi bhar apnane ka he, Bilkhusoos Mubarak Raato me is Amal ko aur bhi zyada Ahatmam se karna chahiye aur iska Tareeqa ye he k 2-2 Raka’at karke 8 Raka’at padho jaye aur usme Jo Soorte’n bhi yaad ho unki zyada Tilawat Kï koshish Kï jaye ,* ╥────────────────────❥ 
*☞ :- Magfirat me Rukawat wale Umoor Se Tauba ,*
*⇏Shabe Bara’at bahut hi Ba-Barkat aur Azeem Raat he Jesa k iski fazilate tafseel Se guzar chuki he’n lekin kuchh ese bhi Bad qismat log hote he’n Jo is Raat Kï barkat aur bil khusoos Sabse aham cheez magfirate Khudawandi se mehroom reh jate he’n, Wo Kon Log hai'n ? Ka'i Hadeeso me unki Nishan dahi ki gayi hai, Jinse Un Mehroom hone walo ki magfirat se Mehroom reh jane ke asbaab bhi maloom hote hai'n, Ese Asbaab aur Umoor ko ma'ane magfirat Umoor kaha jata hai, jinme Shamil hone se har soorat me bacha jaye aur agar khuda na khwasta koi mubtila ho to foran Tauba karke Allah Ta’ala Kï taraf ruju karna chahiye, Varna is Azeem aur Ba- barkat Raat me magfirat haasil na ho sakegi _,"*

*⇏(1)_MuShirk ( Shirk Karne wala)*
*(2)_ ,Keena rakhne wala,* 
*(3)_Walden ka nafarmaan ,*
*(4)_qat'a rehmi Karne wala ( rishte todne wala )*
*(5)_ izaar takhno se niche latkane wala ( yani Lungi Pajama Paint Takhno se niche latka kar rakhne wala )*
*(6)_ Sharaab ka aadi ,*
*(7)_ Qaatil,*
*(8)_ aur Zaani ,*
*"_Allah Ta’ala Tamaam Musalmano Kï in Gunaho Se Hifazat farmaye, Aameen,*

*⇏Dua Kijiye Allah Ta'ala Mujh Gunahgaar ko bhi, Aapko bhi aur Har Momin ko in Magfirat wale A'maal ki pabandi naseeb farmaye aur Mubark Raato ki Barkaat v Magfirat Naseeb farmaye, Aameen _," ( Talibe Dua Admin Haqq Ka Daa'i)*

*📓Maahe Shabaan Ke Fazail v A'amaal_,* ╭┄┅┅◐═══◐══♡◐♡══◐═══◐┅┅┄╮
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*    
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
 ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments