RAMZAN NIZAMUL AWQAAT -( ROMAN)

Haqq Ka Daayi:
★_ ╭•═════•✭﷽✭•════•╮
*⌛RAMZAN- NIZAMUL AWQAAT⌛*
*┗═════════════════
*┱✿☞ Paancho Namazo me Takbire Avla Ka Ahatmaam,*
✾ Takbeere aula ka ahatmam kijiye, ➤ yani namazo ko safe avval me takbeere avla ke saath Ada kiya jaye,
          * Al-Hadees*
✾” Hadees paak me he k Jis shakhsh ne 40 din tak takbeere avla ke saath namaz Ada ki to uske liye 2 bara’ate likhi jati he’n, Avval jahannam se khalasi ( Azaadi ) Aur doosri Nifaak se khalasi, ” *↳® Tirmizi Sharif,*

*☞ Ramzan me Kam se Kam 2 Qurane Paak Khatm Karne Ka Ahatmaam,*
✾ kam se kam 2 Quran paak ramzan ul Mubarak me khatam karne ka ahatmam kare,
              *Al-hadees*
✾ Hadees paak me he k ➣, Qurane paak ki tilawat kiya karo, kyuki ye ( Quran paak) qayamat ke din apne padne walo ke liye Shafi’ bankar aa’ega, ” *↳® Muslim Sharif,*

     . ═══─┉●┉─═══ 
*┱✿☞- Quran paak ka kam se kam ek paara hifz karna,*
✾ Rozana 5 aayaat hifz kare to poore mahine me ek paara hifz ho ja’ega,
            *Al-hadees *
✾” Hadeese paak me aaya he k, ” jis dil me Quran paak ka koi hissa mojood na ho wo veerane ghar ki tarah he, ” *↳® Bukhari Sharif,*

*☞- Namaze Taraveeh ka ahatmam karna,*
✾ Namaze Taraveeh ka ahatmam Pure Ramzan kiya jaye,
            *Al- Hadees*
✾ ” Hadees paak me Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,- ” jisne ramzan Mubarak me Eymaan ke saath sawab ki niyat se qayaam kiya ( yani taraveeh padhi ) to uske agle pichhle gunaah maaf kar diye jate hai’n ,” *↳® Bukhari Sharif,*

     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿☞- Qareebi Rishtedaro ke saath silah- rehmi karna,*
✾ Rozana rishtedaro se mulakaat kare, kam se kam hafte me ek din iske liye khaas kare,
             *Al-Hadees*
✾ ” Hadees paak me aaya he k,-” Rishtedari Arshe ilaahi ke saath latak kar kehti he k jisne mujhe joda Allah usko jode aur jisne mujhe kaata Allah usko kaate, ”
*↳® Muslim Sharif ,*

*☞- Allah ke Raaste me sadqa dena,*
✾ Kam se kam hafte me ek baar Allah ke Raaste me sadqa dene ka ahatmam kare,
               *Al-Hadees*
✾ ” Hadees paak me he k,-” Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam sabse zyada sakhi the, aur Ramzan Mubarak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat aur zyada hoti thi, ”
*↳® Bukhari Sharif,*
 
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿☞- Rozedaro ko aftaar karana,*
✾ Rozedaro ko aftaar karane ka ahatmam kare, roz karaye to bahut achhha he,
              *Al-hadees*
✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,
” jisne rozedaro ko aftaar karaya usko rozedaro ke barabar sawab milega Aur rozedaro ke sawab me kuchh bhi kami nahi kiya jayega,”
*↳® Tirmizi Sharif,*

*☞- Janaze ki namaz me shirkat,,*
✾ Agar kisi ka inteqal ho jaye to janaze ki namaz me shirkat kare ya fir janaze ke saath chale,
            *Al-hadees*
✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k, -” jisne janaze me janaze ki namaz padhi aur Tadfeen me shareek nahi hua to usko ek kiraat sawab milega
Aur Tadfeen me shareek hua, usko 2 kiraat sawab milega, Kiraat ki kam se kam miqdaar uhad pahaad ke barabar he,”
*↳® Muslim Sharif ,* 
                 
     . ═══─┉●┉─═══
 
*┱✿☞- Ek martaba umrah karna,*
✾ Ho sake to poore mahine me ek martaba umrah kare,
              *Al-hadees*
✾ Hadees me aaya he k,
” Ramzanul Mubarak me umrah karna hajj ke barabar he,”
*↳® Bukhari Sharif,*

*☞-Islamic Kitaabe’n Padhna aur Bayanaat sunna,*
✾ Rozana kam se kam 15-20 minutes Islamic Kitaabo ka muta’ala ya 1 ghanta Islamic bayanaat sunne ka ahatmam kare,

*☞- Ek mareez ki ayadat karna,*
✾ Rozana ya hafte me kam se kam ek mareez ki ayadat ka ahatmam kare,
( agar mareez ho to ),
             *⚡ Al- Hadees ⚡*
✾” Jo sakhsh Shaam ke waqt kisi mareez ki ayadat kare to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he’n, Jo subeh tak uske liye istagfaar karte he’n,
Aur Jo sakhsh subeh ke waqt kisi mareez ki ayadat ko jaye to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he’n Jo Shaam tak uske liye istagfaar karte he’n,
*↳® Abu Daoud, 2/442,*

. ═══─┉●┉─═══ 
*┱✿☞- Dawat e illallah dena,*
✾ Rozana kam se kam ek Aadmi ko Allah ke deen ki taraf bulaya kare,
                *Al-hadees*
✾ ” Hadees me aata he, k agar Allah ta’ala Teri vajah se ek Aadmi ko bhi hidayat de de to tere liye surkh ounto se zyada behtar he,”
*↳® Muslim Sharif,*

*☞- Har Jumeraat ( Shab guzari ) ya juma ko Aitkaaf karna,*
✾ Jumeraat ko apni masjid me shab guzari kare aur ho sake to Kam se kam Fajar ki namaz se lekar ishraak tak rozana aitkaaf kar liya kare,
                *Al- hadees*
✾” Hadees paak me Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,
” jis shakhsh ne fajar ki namaz bajama’at padi aur fir zikre ilaahi me mashgool ho gaya, Yaha'n tak k suraj tulu’a ho gaya fir usne 2 raka’at padhi, to usko ek mukammal hajj aur umrah ka sawab milega ,”
*↳® Tirmizi Sharif,*
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿ ☞- Chast ki namaz ki pabandi karna,*
✾Chast ki namaz ki rozana
pabandi kare,*
           *Al-hadees*
✾” Hadees Sharif me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai k mujhe mere khaleel Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne 3 cheezo ki vasiyat farmayi,
1- Har maah 3 roze rakhne ki,
2- Chast ki namaz padne ki, or
3- Sone se pehle Vitr ki namaz ada karne ki,
*↳® Tirmizi sharif,*

*☞- Vitr ki namaz ka ahatmam karna,*
✾ Vitr ki namaz ka rozana sone se pehle ahatmaam kare,

*☞- Har namaz ke baad zikr karna,*
✾ Rozana har namaz ke baad zikr ki pabandi kare, khaskar Tasbihe Fatima zaroor padiye,
            *Al-Quran *
✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k Allah ta’ala ka kasrat se zikr karne wale mard aur Aurato ke liye magfirat aur ajre azeem ka vaada he,”
*↳® Al- Quran,*

     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿☞- Duao ka ahatmam karna,*
✾ Har roz khaas tor per 30 minutes Dua maangne ka ahatmam kare,
                *Al-Quran*
✾ “Allah ta’aala ka irshad he k Jo mujhse dua maangta he, me uski duae qubool karta hu,”
*↳® Al- Quran,*

*☞- Maahe Ramzan me zakaat Ada karna,*
✾ Agar maale nisaab ko pahunche to maal ki zakaat Ada karne ka ahatmam kare,
                *Al-Quran *
✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k namaz qaayam karo aur zakaat Ada karo aur ruku karne walo ke saath ruku karo yani jamaat ke saath namaz Ada kiya karo,”
*↳® Surah Al- Baqrah, 43,*                      
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿☞- Tahajjud ki namaz Ada karna,*
✾ Rozana tahajjud ki namaz ka ahatmam karna,
              *Al-Quran *
✾ “Allah ta’aala ka irshad he :- unke pehlu bistaro se door rehte Hai'n aur khof aur ummeed ke saath apne rab ko pukarte Hai'n aur Jo humne unko de rakha he usko raahe Khuda me kharch karte hai,”.
*↳® Al Qur’an*

*☞- Akhri ashre ka Aitkaaf karna,*
✾ Ramzan Mubarak me Aakhri ashre ka Aitkaaf karne ka ahatmam kare,
            *Al-Hadees*
✾ ” Hadees Sharif me aata he k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke akhri ashre ka aitkaaf farmaya karte the,”
*↳® Bukhari Sharif,*
        
     . ═══─┉●┉─═══
 
*┱✿☞- Shabe Qadar ki talaash karna,*
✾ Khususan Ramzan ke Aakhri ashre ki Taak raato (21,23,25,27,29) me shabe Qadar ki talaash me rahe,
            *Al-hadees *
✾ ” Hadees paak me aaya he k shabe Qadar ko Ramzan ke Aakhri ashre ki taak raato me talaash karo, ”
*↳® Bukhari, Muslim Sharif,*

*☞- Sadqa e Fitr Ada karna,*
✾ Ramzan me hi sadqa e Fitr Ada karne ka ahatmam kare,
            *Al- Hadees*
✾” Hadees paak me Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai k:- Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne sadqa e Fitr ko wajib karaar diya he,”
*↳® Bukhari, Muslim,*
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal )*
*☞- Fajar se Zuhar Tak ke Amaal,*
✾ 1- Subeh Tahajjud ka ahatmam karna chahiye chahe 2 raka’ate hi kyu na ho,
✾ 2- Subeh Savere kam se kam ek para Quran Paak ki Tilawat,
✾ 3- Masjid me jaldi jaakar pehli saf me bethne ka ahatmam aur 2 raka’at Sunnat,

✾ 4- Khushu v Khuzu ke saath 2 raka’at Farz ka ahatmam,
✾ 5- Namaz ke baad Tasbihaat fir Dua ka ahatmam,
✾ 6- Namaz ke baad Subeh ke masnoon Azkaar ka ahatmam,
✾ 7- Suraj Tulu hone tak na soiye balki Tulu ke 20 minutes baad Namaze ishraak padhe, Fir chahe thodi der so jaiye,
✾ 8-Zawaal se pehle Namaze Chaasht ka ahatmam,

     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal )*
*☞- Zuhar Se Asr Tak Ke Amaal,*
✾ 1- Masjid me jaldi aakar Tahayatul Masjid v Vaju ki 2 raka’at, Fir Qurane paak ki Tilawat aur Pehli Saf ka ahatmam,
✾ 2- Zuhar se pehle ki 4 raka’at Sunnat Mokada ka ahatmam,
✾ 3- Khushu Khuzu ke saath Namaze Zuhar ki 4 raka’at Farz Ada kare,
⇒ Mobile ghar chhod kar aaiye,
✾ 4- Namaz ke baad Dua aur Tasbihaat aur Namaz ke baad ke azkaar ka ahatmam,
✾ 5- Namaz ke baad 2 raka’at sunnat Mokada aur 2 raka’at Sunnat gair Mokada Ada kare,
✾ 6- Fir Koi kaam ho to kuchh der usse faarig hokar Quran Paak ki Tilawat kare,
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal )*
*☞- Asr se Magrib tak ke Amaal,*
✾ 1- Azaan se pehle ya kam se kam Azaan hote hi Masjid ki taraf chal de,
✾ 2- Asr se pehle ki 4 raka’at Sunnat gair mokada Ada kare,
✾ 3- Agar sunnato ki adaaygi ke baad waqt ho to Tilawate Quran me masroof ho jaiye,
✾ 4- Safe avval me Namaz padhne ka ahatmam,
✾ 5- Namaz ke baad AZkaar aur Tasbihaat ka ahatmam,
✾ 6- Tafseer, Taleem vagera ho rahi ho to usme zarur bethe,
✾ 7- Aftaar se 15-20 minutes pehle Dua me poore itminan ke saath lag jaiye, aur khoob ro ro kar apne liye aur poori ummat ke liye Duae’n kare,
✾ 8- Khajoor se aftaar kare, ho sake to Masjid me aftaar kare,
✾ 9- Aftaari khane me itni der na lagaye k raka’at ya Namaze Magrib hi chhoot jaye,          
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿( Subeh se Shaam Tak Ke Amaal )*
*☞- Magrib se Isha tak ke Amaal,*
✾ 1- Magrib ki Namaz ke baad Dua, Tasbihate Fatima aur Namaz ke baad ke azkaar na chhode,
✾ 2- Do raka’at sunnat Mokada aur do raka’at sunnat gair mokada Ada kare,
✾ 3- Namaze Avvabeen jitni ho sake Ada kare, 6--12,,,,,,,,
✾ 4- Kuchh waqt apne ghar walo ke saath guzare,
✾ 5- Isha ki Azaan se pehle ya Azaan hote hi masjid me haazir ho jaye,

     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿☞- Isha aur Raat ke Mamulaat,*
✾ 1- Isha ki Namaz mukammal jama’at ke saath Ada kare, Safe avval ki koshish kare,
✾ 2- Isha ke baad Dua aur azkaar ka ahatmam kare,
✾ 3- Do raka’at sunnat Mokada aur 2 raka’at gair mokada Ada kare,
✾ 4- Taraveeh mukammal 20 raka’at takbeer Avla ke saath salaam tak Ada kare,
✾ 5- Vitr bhi jama’at ke saath Ada kare,
✾ 6- Taraveeh ke baad baqiya isha ki 2 sunan gair mokada Ada kare,
✾ 7- Masjid se sidhe ghar jaye, Khana vagera khaakar jald se jald so jaiye,
✾ 8- Sone se pehle Sone se pehle ke azkaar aur Duae’n na bhoole,
✾ 9- Vaju karke soiye,
✾ 10- Subeh jald uthne ka ahatmam karke soiye,
     
     . ═══─┉●┉─═══
*┱✿☞- Sone se Pehle Nafs ka Muhasba kijiye,*
*⇨⇨Apne Nafs se Puchhiye: —*
✾ 1- Ay nafs ! Kya tune aaj mahaz Allah ke liye sadqa khairat kiya,
✾ 2- Ay nafs ! Kya tune aaj kisi insaan ko nafa pahunchaya,
✾ 3- Ay nafs ! Kya tune aaj Silah Rahmi ki,
✾ 4- Ay nafs ! Kya tune aaj koi Deen ki baat sikhi,
✾ 5-Ay nafs ! Kya tune aaj Amr bil ma’aroof nahi Anil munkar ( Bhalai ka hukm aur Buarai se rokna ) kiya,
✾ 6- Ay nafs ! Kya tune apne aapko geebat, jhoot, aur digar gunaho se bachaya,
✾ 7- Ay nafs ! Kya tu badnazri se bacha raha,
✾ 8- Ay nafs ! Kya tune tamaam Namaze aur Mamulaat pure kar liye,
⇒ Jab nafs kahe Haa’n to ” Alhamdulillah, ” padhte hue so jaiye,
Aur agar nafs inkaar kare to ” Astagfaar ” karte hue Aainda karne ki niyat karke so jaiye,

          *⊙ KHULASA ⊙*
●◆● Khulasa ye he k Ramzan ki koi ghadi besood na guzarne de aur baar baar Allah ki ibaadat aur makhlooq ki khidmat me apne aapko lagaye rakhe,
●◆● Agar hum is tarah Ramzan guzarenge to fir dekhiye k kya inklaab barpa hota he,

. ═══─┉●┉─═══
 
*┱✿Ramzan ke Baad Zindgi Kese Guzare,*
 Jab Ramzan Nizamul Avqaat ki nekiyo ki pabandi ke saath guzrega to in sha Allah ta’ala poora saal Allah ki madad, nusrat aur tofeeq ke saath guzrega,
 Ramdhan me Aap har aitbar se Taqwa akhtyar karo yani har burai se chahe jahiri ho ya baatini, bach jao, Allah poore saal taqwa se guzarne ki tofeeq dega,
 Tauba Astagfaar kasrat se karo,
Israaaf se bacho, aam tor per dekha jata he k Ramzan me israafe ta’aam aur ifraate naum me log zyada mubtila hote hai, yani zyada khana aur zyada sona,,
→ab jahiri baat he jab zyada khakar aur sokar Ramzan guzrega to poora saal be-barkati wala hi hoga,

*⇨ Ramdhan ke baad Pabandi kare:-*
★ Farz Namazo ki pabandi ba-jama’at kare,,
★ namaze vitr ki pabandi kare,,
★ Sunnan Mokada ka ahatmam kare,,
★ Qurane paak ki tilawat ki pabandi kare,,
★ Halaal rizq per guzara kare,,
★ Deen khud bhi seekhe apne maathato ko, bachcho ko bhi Deeni taleem aur tarbiyat dene ka ahatmam kare,
★ Allah ke Deen ki mehnat kare, apne jaan, maal or waqt ki tarteeb banaye,

*●◆Alhamdulillah Mukammal Hue◆●*

*↳® Ramzan kis Tarah Guzare,*       
                 
     . ═══─┉●┉─═══
        ║ *Talibe Dua_*
        ║ _ *Haqq Ka Daayi_*
    http://haqqkadaayi.blogspot.com
*Telegram*_ https://t.me/haqqKaDaayi    
 ╚═════════════┅┄ ✭✭   
 
*ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd ,*
 ╨─────────────────────❥

Post a Comment

0 Comments