Zakaat Ke Masa'il - (Roman)

*🏵﷽ 🏵*
│ ✦ *Zakaat Ke MasaiL* ✦ ┗─────────────🏵
           *✺ Zakaat Ke Ma’ani ✺*
       ✯—————————————✯
*★_Zakaat ke ma’ani ( meaning ) Pakizgi, Badotri aur Barkat ke he,*
*"_ Allah ta’ala ka irshad he, :-” Unke maal se zakaat lo taki unko paak kare’n aur Barkat kare’n uski vajah se aur Dua de’n unko,*
*↳® Surah At- Taubah, 103,*

*★_ Shara’i istlah me Maal ke us khaas hisse ko zakaat kehte he’n jisko Allah ta’ala ke hukm ke mutabik faqeero’n, mohtajo’n vagera ko dekar unko maalik bana diya jaye,*
 
*✦➛📓┒✦ Zakaat Ke Masail, (Hazrat Mufti Nazeeb Qasmi.),*

✯————————————
   *✺ Zakaat ka Hukm ✺*

*★_ Toheed v Risalat aur Namaz ke baad islaam ka Teesra sabse bada Rukn zakaat he, Quran kareem me 70 se zyada maqamaat me Aqamate -Salaat aur Adae- Zakaat ka hukm saath saath kiya gaya he,Jisse maloom hota he k Deen me in dono Ka maqaam qareeb qareeb he aur zakaat ki farziyat ka munkir Deene islam se kharij he,*

*★_ Namaz ki tarah zakaat ka hukm bhi agli Shariyat me mojood tha,*

*⇨ Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ke bare me he :-” Woh apne ghar walo ko Namaz aur zakaat ka hukm dete he’n,,*
*↳® Sarah Mariyam, 55,*

*✦➛📓┒✦Fiqhul ibadaat, 270,*

┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
           *✺ Zakaat Ke Pehlu- ✺*

*★_ Neki aur Fawa’id ke lihaaz se zakaat me 3 pehlu he’n :-*
*●_ 1- Apna kamaya hua maal Allah ta’ala ke hukm ke mutabik Allah ta’ala ke Bando’n per kharch karta he to goya Allah ta’ala ke huzoor maali Nazrana pesh karke apni Aazizi v inksaari ka izhaar karta he k_ ”ye maal dar haqeeqat aapka atiya tha Jo mene aapko Razi karne ke liye kharch kiya, ”*

*● _2- Zakaat ke zariye gareeb v mohtaaj Bando’n ki khidmat v i’aanat hoti he, is tarah unki khoob Duae’n hasil hoti he,*

*★_3 Zakaat ka ma’ani paaki he, Jis tarah meyla kapda dhone se paak ho jata he, Meyla jism nahane se paak saaf ho jata he, Isi tarah zakaat nikaalne se wo maal paak saaf ho jata he aur khud zakaat dene wale ko bhi paaki haasil hoti he, Uske andar se maal ki hirs, muhabbat, Bukhl vagera andruni bimariyo’n ka ilaaj hota he,*
*”_Ey Nabi ! Aap Musalmano ke amwaal me se Sadqa ( zakaat ) vasool kijiye jisse unke quloob ki tatheer aur unke nafso’n ka tazkiya ho, ”*
*↳® Surah AT- Taubah, 103,*

*✦➛📓┒✦Fiqhul ibadaat, 270 _*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
 *✺ Zakaat Ada Karne Ki Fazilat ✺*

*★_ ”Jo log Allah ki raah me apne maalo ko kharch karte hai, unke kharch kiye hue maalo ki haalat esi he jese ek daane ki haalat , jisse ( farz karo) saat baale (aur) har baal ke andar 100 Dane ho’n aur ye afzuni khuda ta’aala jisko chahta he ataa farmata he, Aur Allah ta’ala badi wus’at wale hai’n ,jaanne wale hai’n,"*

*→ Jo log apna maal Allah ki raah me kharch karte hai fir kharch karne ke baad na to (us per ) ahsaan jatate hai’n aur na ( bartav ) se usko azaar pahunchate hai’n ,in logo ko in ( ke amaal ) ka sawab milega, unke parvardigar ke paas aur na un per koi khatra hoga aur na ye magmoom honge, ”*
*↳® Surah Al-Baqrah, 261-262,*

*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate. hai’n k Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-*
*“Jo shakhs ek khajoor ke Dane ke barabar paak kamai se sadqa kare aur Allah ta’ala sirf paak hi ko qubool farmate hai’n ,To Allah ta’ala usko apne dast me lekar qubool farmate hai’n, fir uske Maalik ke liye uski parvarish farmate hai’n ,. jis tarah k tumme se ek shakhs apni ghodi ke bachche ki parvarish karta he, yaha tak k woh (ek khajoor ke Dane ka sadqa qayamat ke din ) pahaad ke barabar ho jayega”*
*↳® Sahih Bukhari, Muslim,*

*✦➛📓┒✦Aapke Masail aur unka Hal, 3/341*   

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
  *✺ Zakaat Ada na Karne Ka Vabaal ✺*
*✷_ Allah Ta’ala ka irshad he, َ:-” Jo log Sona chandi jama karke rakhte hai’n aur unko Allah ki raah me kharch nahi karte,*
*→ so Aap unko ek badi dardnaak saza ki khabar suna dijiye k us roz waqe hogi k unko dozakh ki aag me avval tapaya jayega→ fir inse un logo ki peshaniyo aur unki karwato aur unki pushto ko daag diya jayega,→ye woh hai jisko tumne apne vaaste jama karke rakha tha,→ so ab apne jama karne ka maza chakho,”*
*↳® Surah At-Tauba, 34-35,*

*✷_ Hazrat ibne Masu’od Raziyallahu Anhu Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k- ”jo shakhs apne maal ki zakaat Ada nahi karta Qayamat ke din uska maal ganje saanp ki shakal me uski gardan me daal diya ja’ega,→ fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is majmoon ki aayat hume padhkar sunayi,*
*⇨ Aayat ka tarjuma ye he —” aur hargiz khayal na kare ese log Jo esi cheez me bukhl karte hai’n Jo Allah ta’ala ne unko apne fazal se di he k ye baat kuchh unke liye achchhi hogi balki ye baat unki bahut buri he, woh log qayamat ke roz tauk pehna diye ja’enge uska jisme in hone bukhl kiya tha,”*
*↳®Ravah Al- Tirmizi,*

*✷_ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se rivayat he k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he k Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k,-” Zakaat ka maal jab doosre maal se makhloot ( mix ) ho to zarur usko tabaah kar dega_,"*
*↳® Musnad Shafai,*

*✦➛📓┒✦Aapke Masail aur unka Hal, 3/343*  
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺ Zakaat Kis Per Farz He-✺*

*★_ Zakaat Baalig per wajib he,,⇨ Na-balig Bachcho ke maal per zakaat nahi, Albatta sadqa e fitr Na-balig ki taraf se Ada karna bhi zaruri he, (agar na-balig sahibe maal ho)*

*★_ Majnoon, Pagal ke maal per zakaat nahi,*

*★_ Zever aurat ki milkiyat hote hai’n , aur zakaat Ada karne ki zimmedari bhi Maalik hi per hogi, Shohar agar uske kehne per zakaat Ada kare to Ada ho jayegi,*

*★ _Shohar aur Bivi ki zakaat ka hisaab alag -alag he, Marhoom Shohar ki zakaat Beva ke zimme Farz nahi, agar vaaris Ada kare to achchhi baat he,*

*★ _Agar Na-Baalig ladki ko zever ki Maalik bana diya to jab tak ladki baalig nahi hogi zakaat Farz nahi he,*
*⇨Sirf ye keh dena ya ye niyat kar lena k zever ladki ke Jahez me diya ja’ega, zakaat se mushtasna nahi karaar diya ja sakta, Jab tak k ladki ko zever ka Maalik na bana diya jaye,→Aur ladki ko Maalik bana dene ke baad us zever ko khud istemal karna jaa’iz nahi hoga,*
 
*✦➛📓┒✦ Aapke Masail aur unka Hal, jild 3/safa 344*

*⇨Zakaat in cheezo per Farz he:-*
*★_1- Sona Jabke Saade Saat Tola ( yani 87.479 gram), ya isse zyada ho,*
*★2- Chaa'ndi Jabke Saade Bavan Tola ( yani 612.35 gram ) ya isse zyada ho,*
*★ 3- Rupya- Paisa, aur Maale- Tijarat Jabke iski maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar ho,*

*→ Agar kisi ke paas thoda sa Sona he, kuchh Chandi he, Kuchh Naqad Rupya he , ya kuchh maale Tijarat he aur inki majmooi ( in sabki qeemat jodne ke baad ) maaliyat Saade Bavan Tola chandi (612.35 gram) ke barabar he to is per bhi zakaat Farz he,*

*→ isi tarah agar kuchh Sona he, kuchh Chandi he, ya kuchh Sona he, kuchh Naqad Rupya he, ya kuchh Chandi he, kuchh maale Tijarat he, tab bhi inko milakar dekha jayega k Saade Bavan Tola chandi ki maaliyat banti he ya nahi, Agar banti he to zakaat wajib hogi varna nahi,*

*✔ Khulasa ye he Sona, Chandi, Naqdi, Maale Tijarat me se koi si bhi do ( Ya do se zyada ) Cheezo ki maaliyat jab Chandi ke nisaab ( 612.35 gram) ke barabar ho to us per zakaat Farz hogi,*

*★ 4- in ( Jo mazkoor hui ) cheezo ke alawa charne wale maveshiyo (animals) per bhi zakaat Farz he, isme Bhed, Bakri, Gaay, Bhens, Ount ke alag alag nisaab hai’n ,*
*→ Jo log maveshi rakhte hai’n Ahle ilm motbar ulema Hazraat se daryaft kar le, ( isme tafseel zyada he isliye isko nahi likha )*

*★ 5- Ushri Zameen ki paydawar per bhi Zakaat Farz he, jisko Ushr kaha jata he, *( Tafseel aage zikr ki ja’ egi in sha Allah)*

*↳® Aapke Masail aur unka Hal, 3/ 345,*
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺ Maale Tijarat me Kya Kya Dakhil he ✺*

*✷_ Maale Tijarat me har wo cheez dakhil he jisko Aadmi ne bechne ki niyat se kharida ho, ( aur Yahi niyat baqi ho )*

*✷_ Lihaza Jo log investment ki garz se plot kharid lete he’n aur shuru hi se niyat hoti he k jab achchhe paise milenge to usko farokht karke usse munafa kama lenge to us Plot per bhi Zakaat waajib he,*

*⇨ lekin agar Plot is niyat se kharida k agar moqa hua to us per Riha’ish ( residence) ke liye Makaan banwa lenge ya moqa hoga to usko Kiraaye per chhod denge ya kabhi moqa hoga to usko farokht kar denge,, Yani koi waazeh niyat nahi he Balki wese hi kharid liya he to is soorat me us Plot ki qeemat per zakaat waajib nahi he,*

*↳® Zakaat ke Masail, (Mufti Muhammad Najeeb Qasmi,)*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✺ Zakaat Ke Hisaab ke liye Tareekh Mutayan Karna ✺*
       ✯———————————
*★_ Aksar log sirf Ramzan me zakaat nikaalte he’n aur usi me hisaab karte he’n, Ramzanul Mubarak me Zakaat nikaalne ki fazilat to he lekin apne maal ka hisaab bhi Ramzan hi me kiya jaye? Isme bahut si kharabiya he”n,*
*"_Isliye k Zakaat ka sahi tareeqa ye he k Aap Qamri Maah ( Chand ki tareekh ) ki jis tareekh ko Sahibe Nisaab hue the, hamesha wahi tareekh aapki zakaat ke hisaab ke liye mutayan rahegi,*

*★ _is Tareekh me Aapke paas Jo Sona, Chandi, Maale Tijarat aur Naqdi Jo kuchh bhi ho, chahe ek Roz pehle hi mila ho sab per zakaat Farz hogi, Zakaat ka hisaab isi tareekh ko hoga Ada chahe jab kare,*

*★ _Agar darmiyan saal me nisaab keep mutabik maal bilkul nahi raha to ab fir ( dobara ) jis tareekh me Sahibe Nisaab honge, wo tareekh mutayan hogi,*

*★_ Agar Sahibe Nisaab banne ki Qamri tareekh ( chand ki tareekh ) yaad nahi ho to goro fikr ke baad jis tareekh ka itminan zyada ho wo mutayan hogi,*

*★ _Agar kisi tareekh ka bhi itminan na ho to khud koi Kamri tareekh Mutayan kar lijiye, isme Angrezi Saal se hisaab karna durust nahi he,*

*↳® Ahsanul fatawa, 4/205,Fiqhul ibadaat, 147,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
           *✺ Zakaat ki Mikdaar ✺*
      
*★_ Sona, Chandi, Maale Tijarat ki qeemat lagakar usme Naqdi Jama karke Jab majmui maaliyat ( Jama Punji ) maloom hogi to ab Zakaat ki mikdaar, 2-1/2 % ( 2.5 % ) Yani 40 va hissa, Ya 40 Rupye per 1 Rupya Zakaat Ada karna zaruri he,*

*★ _( Sona Chandi, Maale Tijarat me us din ki qeemat ( Bazaar ki Rate ) ke etbaar se hisaab hoga )*

*✺ Sona Chandi per zakaat ✺*

*★ _Sona Chandi ki har cheez per zakaat waajib he, Asli zari, Sona Chandi ke Batan, vagera in Sab per zakaat Farz he Chahe Thappa, Gota aur Zari kapde me lage ho,*

*▩ Tambeeh ●⇨ Bahut se logo ka khayal hota he k Sona Chandi ke istemali zevraat vagera per zakaat Farz nahi, Halanki Shar’an zevraat istemali ho ya gair istemali sab per zakaat Farz he,*

*★_ Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu se rivayat he k ek khatoon apni ek Ladki ko lekar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hui, Us ladki ke haath me Sone ke mote bhari Kangan the, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha: –” Kya tum in Kangano ki zakaat deti ho? ” Usne arz kiya k me zakaat nahi deti,*

*"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,:-” Kya tumhare liye ye baat khushi ki hogi k Allah ta’ala tumhe Kangano ki ( zakaat na dene ki ) Vajah se qayamat ke din aag ke Kangan pehnaye? ”*

*"_Allah ta’ala ki us bandi ne dono Kangan haath se utaarkar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saamne daal diye aur arz kiya,:-” Ye Allah ta’ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke liye he’n,*
*↳ ® Sunan Abi Daoud Jamia Tirmizi,* 
*📓Fiqhul ibadaat, 275,*

┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *✺ Company ke Shares Per Zakaat ✺*

*★_ Milo aur Companiyo ke Shares per bhi Zakaat Farz he, Ba-sharte k Shares ki qeemat baqadre nisaab ho ya uske alawa digar maal se Shares Holder Maalike Nisaab ban jaye, Albatta Companies ke Shares ki qeemat me chuki mashinry aur makaan, Furniture ki laagat bhi shamil hoti he, Jo dar haqeeqat zakaat se mutashna ( Free ) he,*
*⇨Isliye agar koi shakhs Company se maloom karke jitni raqam uski Mashinry, Makaan aur Furniture me lagi hui he usko apne hisse ke mutabiq Shares ki qeemat me se kam karke baqi ki Zakaat de to ye bhi jaa’iz he,*

*★_ Saal ke khatm per jab Zakaat dene lage us waqt Jo Shares ki qeemat hogi wahi lagegi,*

*✺ Mil Kaarkhano Per zakaat ✺*

*★_ Kaarkhana aur mil ki imaarat aur masheen vagera per zakaat Farz nahi lekin usme Jo maal tayyar hota he us per zakaat Farz he,*

*★_ isi tarah Jo Khaam Maal ( Raw material ) Kaarkhane me samaan tayyar karne ke liye rakha he, us per bhi zakaat Farz he,*
*↳ ® Durre Mukhtar, Shami,*
*📓 Fiqhul ibadaat, 276,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
  *✺Provident Fund Per Zakaat- ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Provident fund me Jo Raqam mulazim ki tankhwah se kaati jati he aur us per Mahana ya Saalana izafa kiya jata he, Ye sab mulazim ki khidmat ka wo muaawza he Jo abhi uske qabze me nahi aaya, Lihaza wo mahkame ke zimme mulazim ka qarz he,*

*★_ Zakaat ke maamle me Fuqha ikraam Rh ne qarz ki 3 qisme bayaan farmayi he’n, Jinme se baaz per zakaat waajib hoti he aur baaz per nahi hoti, Vasool hone ke baad zaabte ke mutabiq Zakaat waajib hogi, Jiski Tafseel ye he,*

*★ _1- Mulazim agar pehle se Sahibe Nisaab nahi tha, magar us raqam ke Milne se Sahibe Nisaab ho gaya to vasool hone ke waqt se ek Qamri Saal pura hone per Zakaat waajib hogi, Ba-sharte us waqt tak ye shakhs Sahibe Nisaab rahe,*
*⇨Agar Saal pura hone se pehle Maal kharch hokar itna kam reh gaya k Sahibe Nisaab nahi raha to zakaat waajib nahi hogi,*
*⇨ Aur agar kharch ya Jaaya hone ke bavjood Saal ke akheer tak Maal ba-qadre nisaab bacha raha to jitna baqi bach gaya sirf uski zakaat waajib hogi, Jo kharch ho gaya uski Nahi hogi,*
 
*★_ 2- Agar Ye mulazim pehle se Sahibe Nisaab tha to fund ki raqam chahe miqdare nisaab se kam mile ya zyada uska saal alag se shumar nahi hoga,*
*→Balki jo maal pehle se uske paas tha Jab uska saal pura hoga yani pehle se mojooda nisaab ki zakaat nikaalne ki tareekh aayegi to fund ki vasool shuda raqam ki zakaat bhi usi waqt waajib ho jayegi chahe us nayi raqam per ek din hi guzra ho,*

*⇨Zakaat ki ye tafseel imaam e aazam Abu Hanifa Rh ke qoal per mubni he, Sahabeen Rh ke qoal ke mutabiq qarz ki har qism per zakaat Farz he Lihaza agar koi ahatyaat per amal karte hue guzishta tamaam saalo ki zakaat Ada kare to behtar he,*
*⇨ iska behtar tareeqa ye he k jabse ye mulazim Sahibe Nisaab ho us waqt se har saal ke khatm per hisaab kar liya jaye, k ab uske fund me kitni raqam jama he, Jitni raqam jama he uski zakaat Ada kar de, isi tarah har saal karta rahe,*

*★_ Agar Usne ye Raqam kisi shakhs, Bank, Insurance company ya kisi aur Tijarati Company me Ya mulazimeen ke numaindo per mushtamil board ki taraf muntkil karwa di ho to ye esa he jese khud apne qabze me le li ho,*
*⇨Kyuki is tarah wo shakhs ya company us mulazim ki vakeel hogi aur vakeel ka qabza shar’an muvakkil ke qabze ke hukm me he,*
*⇨Lihaza jabse ye Raqam us company ki taraf muntkil hui us waqt se us per bila ittefaaq zakaat waajib hogi aur har saal ki zakaat mazkoora baala zaabte ke mutabiq laazmi hogi,*

*★_ Tijarati company ko Nafa nuksaan me shirkat ki buniyad per dene ki soorat me jabse us per Nafa milna shuru hoga us waqt se Nafa per bhi zakaat waajib hogi,*

*★_ insurance company ya kisi aur Soodi karobaar karne wali company ko dene ki soorat me nafa haraam he,*

*📓 Fiqhul ibadaat, 277,*

┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *✺ Tijarati Plot Per Zakaat ✺*

*★ _Agar koi shakhs tijarat ki niyat se plot kharide aur yahi niyat baqi rahe to plot ki qeemat per zakaat waajib hogi,*

*→Doosre Tijarati maal ke saath iski zakaat bhi Ada ki jaye,→Aur agar doosra maal na ho to bhi plot ki qeemat nisaab ke ba-qadr hone ki soorat me zakaat waajib he,*

*↳®Ahsanul fatawa, 4/305,*

*★ Masla No. 1:→Kharide gaye plot aur Makaan per kharidte waqt usme 3 qism ki niyate hoti he’n,→Kabhi to ye niyat hoti he k yaha’n makaan banakar Rihaish akhtyar karenge, Agar is niyat se plot kharida he to ese plot per zakaat nahi,*

*★ Masla No. 2:⇨ isi tarah agar kharidte waqt na to farokht karne ki niyat thi aur na khud rehne ki niyat thi, is soorat me bhi us per zakaat nahi,*

*★ Masla No. 3: — Jo makaan ya plot is niyat se kharida jaye k usko baad me farokht kar denge to ese makaan aur plots ki haisiyat Tijarati maal ki hogi, is soorat me unki Kul qeemat per har saal jitni qeemat hogi zakaat Farz hogi,*

*↳®Ba- Hawala Durre Mukhtar, 2/298,*

*📓 Fiqhul ibadaat, 279,*

┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✺ Fix Deposits Per Zakaat ✺*
      
*★_ Bank me raqam jama karane ka ek tareeqa Fix Deposit he, iski soorat ye he k raqam ko Bank me ek makhsoos muddat ke liye ( 3 ya 5 ya 7 saal ) is shart per rakhte he’n k Muddat mukarrah se pehle ye Raqam naqabile wapas hogi, is muddat ke khatm hone per ye Raqam ek mukarrah Sood ( interest) ke saath wapas mil jati he,*

*★_ is per Jo Sood milta he wo na-jaa’iz aur haraam hone ki Vajah se bager Sawab ki niyat se sadqa karna zaruri he, Asal jama shuda raqam per zakaat waajib he lekin uski adaygi vasooli ke saath hi waajib hogi, vasool hone se pehle waajib nahi , jaa’iz he,⇨ Lihaza agar kisi ne vasooli se pehle hi zakaat Ada kar di to bhi zakaat Ada ho jayegi,*
*↳®Makhuzaz – Jadeed Fiqhi masail 132,*

*✺ Bank me Jama Shuda Raqam Per Zakaat ✺*

*★- Bank me Jama shuda raqam per bhi zakaat waajib he, Saal guzarne per doosre maal ke saath unki ( Bank me Jama Shuda raqam ki ) zakaat bhi Ada ki jaye,*
*⇨ Fix Deposit ke alawa digar accounts jinme har waqt raqam nikaalne ka akhtyar hota he, Unme vasooli ka intezar na kare,*
*↳ ® Makhuzaz – Ahsanul fatawa, 4/311,*

*📓 Fiqhul ibadaat, 279,*

┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✺ Hajj Ya Makaan Ya Beti ki Shadi Ke liye rakhi Hui Raqam Per Zakaat ✺*

*★_ Agar kisi shakhs ne itni raqam Jo nisaab tak pahunchti he, isliye jama kar rakhi he k me isse Hajj karunga ya isse Makaan kharidunga ya banaunga Ya isse Beti ki Shadi karunga vagera vagera,*
*⇨ To agar us raqam per saal guzar gaya to us per zakaat waajib ho gayi, Jab tak ye Raqam rakhi rahegi kharch nahi ho jayegi, Us waqt tak Maalik ko har saal zakaat Ada karni hogi,*
*⇨ Hajj ka iraada karna ya Makaan kharidna, banwana, Beti ki shadi vagera sab kaam per zakaat ki adaaygi ke liye uzr tasavvur nahi honge,*

*↳® Fatawa Darul Uloom Devband, Jild -6, Ba- Hawala, Durre Mukhtar, 7/2,*

*✺ Hajj Ke liye Jama Raqam Per Zakaat ✺*
*★_ Maaldar hone ke etbaar se zakaat waajib hone ki tareekhe mukhtalif hoti he’n, Mukarrarah tareekh me Jo maal milk me mojood hoga us per zakaat Farz hogi,*
*⇨ Ab agar kisi ne Hajj ke liye raqam jama karwayi he aur uska saal pura ho raha he ek Ramzan ko, To aamado raft ka kiraya aur muallim vagera ki fees ke liye Jo Raqam di gayi he us per zakaat nahi,*

*★"_isse zaa’id Jo Raqam carancy ki soorat me usko wapas milegi us per zakaat Farz he, Doosri raqam ke saath uski zakaat bhi Ada kare,*

*↳® Makhuzaz – Ahsanul fatawa, 4/264,*

*📓Fiqhul ibadaat, 280,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *✺ Kiraye per dene ke liye kharide hue Makaan ya Samaan Per Zakaat-✺*
    
*★_ Ek shakhs ke paas apne rehne ke alawa bahut se makaan he aur un makaano ko kiraye per chalane ke liye kharida he aur maqsood ye bhi he taki uska Rupya bhi mehfooz rahe to ese makaanat ki qeemat per zakaat Farz na hogi chahe wo kitni hi qeemat ke ho,*
*⇨ Albatta unke kiraye se haasil shuda raqam nisaab ke ba-qadr ya usse zyada jama ho aur saal bhi guzar jaye to uski zakaat dena zaruri he,*

*★_ Lekin agar is niyat se kharida he k jab qeemat bad jayegi to farokht karke nafa kamayenge, Us waqt tak kiraye per chalta rahe, To fir qeemat per zakaat Farz hogi,*
*↳ ® Aapke Masail aur unka Hal, Jild -3*

*★_ Isi tarah Agar koi shakhs Bartan, Shamiyana, Furniture, Cycle vagera ya aur koi samaan kiraye per dene ke liye kharidta he aur kiraye per chalata he to in cheezo per bhi zakaat Farz nahi,*
*⇨ Albatta kiraye ki vasooli shuda raqam agar ba-qadre nisaab ho aur us per ek saal guzar jaye to is raqam per zakaat Farz hogi,*

*★_ Aur agar doosre maal ka nisaab bhi mojood he to kiraye ki raqam usi maal me shamil kar diya jayega, us per fir mustkil saal guzarna zaruri nahi hoga,*
*↳® Fatawa Qaazi khan, 1/17,*
*📓 Fiqhul ibadaat, 281,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✺ Maqrooz Per Zakaat ka Hukm ✺*

*★_ Agar koi shakhs esa he jiske paas kuchh sona aur kuchh chandi bhi he jis per zakaat Farz ho sakti he lekin wo maqrooz bhi he,*
*⇨To esa shakhs apni tamaam cheezo ko yani sona, chandi, naqdi, tijarati maal vagera Jo kuchh uski milk me he usko jama karke fir dekhe k qarz chukane ke baad uske paas ba-qadre nisaab yani Saade Bavan tola chandi ki qeemat ke barabar raqam bachti he ya nahi,*

*⇨ Agar itni raqam bachti he to us per us zaa’id bachi hui raqam per zakaat Farz hogi,*

*⇨ Agar ba-qadre nisaab raqam nahi bachti to maqrooz per zakaat Farz nahi,*
*↳® Ba- Hawala– Sharah Bidaya, 2/168,*
*📓Fiqhul ibadaat, 281,* 
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
  *✺ Qarz Per di hui Raqam per Zakaat✺*
       
*★_ Qarz dena apne musalman bhai ki zarurat ko pura karna he aur ye bahut ajro sawab ka kaam he,*

*★_ Qarz per di hui raqam zakaat qarz dene wale ke zimme laazim he lene wale ke zimme nahi, kyuki iski maaliyat raqam qarz dene wale ki milk me dakhil he,*

*★_ Agar kisi ne kuchh raqam qarz de rakhi he ya Farokht shuda maal ki qeemat kharidaar ke zimme baqi he to us raqam ki zakaat maalik per har saal waajib hogi,*

*⇨ Albatta akhtyar hoga k chahe vasool hone se pehle zakaat nikaal de ya Jab ye qarz vasool ho jaye ( Jitne saalo me bhi vasool ho ) to guzishta tamaam saalo ki zakaat ikatthi nikaal de,*

*📓 Fiqhul ibadaat, 283,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
 *✺_ Ladkiyo ke Naam kiye Hue Zevero Per Zakaat ka Hukm _✺*
       
*★_ Baaz log bachcho ke jahez ke naam per zevraat kharid lete he’n, Un per zakaat ka Hukm ye he k Agar bachcho ko maalik nahi banaya to Baap ke zimme laazim he k doosre maal ke saath un zevraat ki bhi zakaat Ada kare,*
*⇨ Agar Bachcho ko maalik bana diya to Baalig hone se pehle us maal per zakaat Farz nahi, Baalig hone ke baad Jo Ladki Saahibe Nisaab hogi us per zakaat Farz hogi,*
*↳ ® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 2/258*

*★_ Ladkiyo per zakaat waajib hone ki soorat me adaygi ki do soorte he’n:-*
*(1)-Ya to Baap unki taraf se zakaat Ada kare,*
*(2)- Ya ladkiya apni taraf se Ada kare,*
*"_Agar esi koi soorat na ho to zevraat ka kuchh hissa bech karke zakaat Ada kar di jaye,*

*📓 Fiqhul ibadaat, 282,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺ Chande Ki Raqam Per Zakaat ka Hukm ✺*
      
*★_ Agar kisi idaare ne Beva, Yateem vagera mustahiqeen per kharch karne ki niyat se chanda karke zakaat ki raqam ikatthi ki aur wo raqam nisaab se zyada he, Saal ke dauran kuchh raqam aati rahi aur hasbe zaabta kuchh kharch hoti rahi,*
*⇨ Saal ke aakhir me ba-qadre nisaab ya isse zyada ki bachat to us zakaat ki bachi Hui raqam per zakaat Farz nahi hogi,*
*⇨ Kyuki ye kul raqam hi zakaat hi ki he aur ye kisi Farde wahid ki milk me dakhil bhi nahi he,*
*↳ ® Ahsanul fatawa, 4/299*

*✺ Murgikhana aur Machhli ke Talaab Per Zakaat ✺*

*★_ Murgikhana aur Machhhli ke talaab ki zameen, makaan aur isse mutalliq samaan per zakaat nahi,*
*⇨ Murgiya’n aur Chuje kharidte waqt agar unhi ko bechne ki niyat ho to unki maaliyat per zakaat he, aur agar unki bajaye unke ande aur bachche bechne ki niyat ho to zakaat waajib nahi,*
*↳ ® fatawa Qazikhan, 1/117,*

*★_ Talaab me machhliya’n ya unke bachche khareed kar dale ho to unki maaliyat per zakaat Farz he, varna nahi,*
*⇨ Murgikhana aur Talaab ki aamdani per bahar soorat zakaat he,*
*↳® Ahsanul fatawa, 4/300*

*📓↳®Fiqhul ibadaat, 285*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*✺ Masarife Zakaat aur Uski Tafseel ✺*
    
*★_ Zakaat ki adaaygi ke liye Shariyat Mutahra ne ye usool muqarrar farmaya he k, Zakaat sirf unhi logo ko di ja sakti he Jo mustahiq ho,*
*⇨ Aur mustahiq e zakaat wo log he’n jinke paas Saade Bavan tola chandi ya iski qeemat ke barabar raqam ya itni maaliyat ka koi samaan zarurat se zyada na ho,*
*↳ ® Ba- Hawala– Durre Mukhtar, 2/347*

*⇨ Zakaat ki adaaygi ki Shart,,,*

*★_ Zakaat ki adaaygi ke liye ye shart laazim he k kisi mustahiq shakhs ko bager kisi avaz ke mahaz lillaah fillaah maalik banakar de di jaye,*
*⇨ Lihaza jin soorto me kisi mustahiq ko maalik nahi banaya jaye unme zakaat Ada nahi hogi,*
*®Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/344*

*✺ Masraf Talash karne me Kotahi ✺*

*★_ is silsile me baaz log ye kotahi baratte he k Zakaat nikaalte to he lekin iski parvaah nahi karte k sahi masraf me lag rahi he ya nahi, Kahi esa to nahi k laparvahi me gair mustahiq ko zakaat de di aur samajhte rahe apne zimme se farig ho gaya,*
*⇨ Halanki gair mustahiq ko dene ki Vajah se zimma farig nahi hua, kyuki jis tarah maaldar per ZAKAAT ki adaaygi zaruri he, Mustahiq talaash karna bhi zaruri he,*
*⇨ Bager tehqeek kisi bhi shakhs ko Zakaat ki raqam pakda di to usse na zakaat Ada hogi na zimma farig hoga, isliye khoob tehqeek karke dena laazim he,*

*📓Fiqhul ibadaat, 286* 

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
 *✺ Gareeb Rishtedaro ko Zakaat Dene ki Fazilat ✺*
  
*★_ Agar aap azizo aqaarib me gareeb log mustahiqe zakaat ho to unko Zakaat v Sadqa dena zyada behtar he aur dohra sawab rakhta he, Avval Sawab Sadqa ka aur doosra Silah rahmi ka,*
*⇨ isme ye bhi zaruri nahi k unhe ye batakar zakaat de k Sadqa ya zakaat de raha hu’n balki kisi Tohfa ya Hadiya ke unwaan se bhi diya ja sakta he taki lene wale shareef Aadmi ko apni khaft mehsoos na ho,*

*★_ Suleman bin Aamir Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,:- Kisi ajnabi miskeen ko Allah ke liye kuchh dena sirf Sadqa he, Aur apne kisi azizo aqaarib ( zaruratmand ) ko Allah ke liye dene me do pehlu he’n aur do tarah ka sawab he,*
*"_Ek ye k Sadqa he, doosre ye k Silah rahmi he ( Yani haqe qarabat ki adaaygi Jo bajaye khud badi neki he ),*
*↳ ® Musnad Ahmad, Tirmizi,*

*📓 Fiqhul ibadaat, 286,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
  *✺ Zakaat Ada karne Ka Tareeqa ✺*
       ✯—————————————✯
*★_Zakaat dete waqt zakaat ki niyat zaroori he Jo cheez zakaat ki niyat se na di jaye usse zakaat Ada nahi hogi,*

*★_Behtar he k zakaat ki niyat karke kuchh raqam alag rakh li jaye or fir us me se waqtan fa waqtan,thodi thodi dete rahe to zakaat Ada ho jayegi,*

*★_Ekmusht Zakaat Ada ho jati he, magar kisi ko ekmusht itni zakaat de dena k wo Sahibe nisab ho jaye makrooh he,*

*★_ Zakaat dete waqt ye batana zaroori nahi k ye zakaat he, Hadiya ya Tohfa ke unwaan se Ada ki jaye aur Ada karte waqt niyat zakaat ki kar li jaye to zakaat Ada ho jayegi,*

*★_Agar doosra aadmi, sahibe maal ke hukm ya ijazat se uski taraf se zakaat Ada kar de to zakaat Ada ho jayegi varna nahi,*

*★ _Riyakari aur numaish ki garaj se zakaat ki tashheer jaa’iz nahi, balke isse sawaab batil ho jata he,*

*★_ Peshgi ( advance) zakaat Ada karna bhi sahi he, zakaat Ada ho jayegi,*

*★_ Agar koi shakhs gaflat aur kotahi ki vajah se farayaz ko chhodta he to farayaz maaf nahi honge,*
*⇨balki hisaab karke zakaat jitne saalo ki zimme he waqtan fa waqtan thodi thodi Ada karte rahe yaha tak k zakaat poori ho jaye,*

*★_ Dukan me jitna maaliyat ka samaan he, uski qeemat laga kar, Jo Qarz agar zimme ho usko ghata kar Jo raqam bache uska 40 va hissa zakaat Ada kar de,*
  
*★_Zakaat ki raqam ka jab tak kisi miskeen fakeer ya mustahiq ko maalik nahi bana diya jayega zakaat Ada nahi hogi,*

*★_Raddi aur na bikne wali cheez ka zakaat me dena ikhlaas ke khilaf he,*

*★_Qarz di hui raqam me zakaat ki niyat karne se zakaat Ada nahi hogi,*
*⇨kyuki qarz dete waqt zakaat ki niyat nahi hoti he,, aur zakaat Ada karte waqt niyat karna shart he,,ese hi mulazim ( servant) ko advance di hui raqam ki zakaat ki niyat karna durust nahi,*

*★_Zakaat ki raqam se mulazim (servant) ko tankhwah ( salary) dena jaa’iz nahi, imdaad ke liye zarurat ya mohtaaj samajhkar tankhwah ke alawa zakaat de di jaye to zakaat Ada ho jayegi,*

*★_Zakaat ki raqam ko masjid me lagana jaa’iz nahi,*

*★_Aurat ke paas Rupya Paisa na ho to zever bechkar zakaat Ada kare,*

*★_Agar Naqdi Rupya Paisa na ho to Saabka aur Aainda saalo ki zakaat me zever de sakte hai,*

*★_ income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti,*
*⇨ income tax mulki zaruriyat ke liye government ki taraf se muqarrar hota he, jabki zakaat ek musalman ke liye fariza e khudavandi aur ibadat he, income tax Ada karne se zakaat Ada nahi hoti, balki zakaat ka alag Ada karna zaroori he,*

*↳® Aapke Masail aur unka Hal,3/382*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
 *✺In Rishtedaro Ko Zakaat de Sakte he’n ✺*
       ✯—————————————✯
*★ _In Rishtedaro ko zakaat di ja sakti he Ba-sharte k wo mustahiqe zakaat ho: –*
*★_ 1- Apne Haqeeqi Bhai Bahan ( jinke maa baap ek ho ),*
*"_Alaati Bhai Bahan ( jinke baap ek ho lekin maa alag alag ho ),*
*"_Akhyafi Bhai Bahan ( Jinki maa ek ho aur baap alag alag ho ),*
*"_Razaa’i Bhai Bahan ( Jinhone muddate raza’at me ek hi aurat ka doodh piya ho ) Inko zakaat dena durust he, isi tarah inke alawa ko bhi dena durust he,*

*★_ 2- Apne Chacha, Chachi, Fufa, Fufi, Mamu, Mumani, Khala, Khalu aur in sabki Aulaado ko bhi zakaat dena durust he,*
*★_ 3- Apne Sotele Maa Baap, Razaa’i Maa Baap, Razaa’i Beta Beti aur in sabki Aalaado ko bhi zakaat dena durust he,*

*★_ 4- Apne Sasur, Saas aur unki Aulaad ko bhi zakaat dena durust he,*
*★_ 5- Shohar Apni Bivi ki esi Aulaad Jo uske pehle Shohar se ho, isi tarah Bivi apne Shohar ki esi Aulaad Jo pehli Bivi se ho, unko Zakaat dena durust he,*
*★ 6- Apne Damaad aur Bahu ko bhi zakaat dena durust he,*
*↳® Fatawa Darul Uloom Devband, Jild -6,,*

 *✺ In Rishtedaro ko Zakaat nahi de Sakte ✺*
       
*★_ 1- Apne Maa, Baap, Dada, Dadi, Pardada, Pardadi, ko zakaat dena durust nahi he,*

*★_ 2- Apne Nana, Nani, Padnana, Padnani, ko bhi zakaat dena durust nahi he,*
*★ 3- Apne haqeeqi Beta, Beti aur unki Aulaad yani Pota, Poti,padpote, Padpoti, Navasa, Navasi Padnavasa,Padnavasi ko bhi zakaat dena durust nahi he,*
*★ 4- Shohar apni Bivi ko aur Bivi apne Shohar ko bhi zakaat nahi de Sakti he,*

*↳®Fiqhul ibadaat, 288*
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺ Shadi Shuda Aurat ko Zakaat dena ✺*
       ✯—————————————✯

*★ Aurat Jiska Mahar nisaab ke barabar ya usse zyada ho aur ye ummeed ho k jab ye Aurat Mahar talab karegi to uska Shohar bila ta’amul de dega, To esi Aurat ko zakaat dena na-jaa’iz he,*

*⇨ lekin agar Shohar itna gareeb he k Mahar Ada nahi kar sakta ya Maaldar to he lekin nahi deta, aur khud Aurat ke paas nisaab ke ba-qadr maal mojood nahi, To esi Aurat ko zakaat dena durust he,*
*↳® Ba- Hawala– Sharah Tanveer, 2/113,*

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
*✺ Sayyad ko Zakaat ka Hukm ✺*

*★_ Sayyad ko bhi zakaat dena na-jaa’iz he, Albatta agar uski Bivi gair Sayyad ho aur mustahiqe zakaat he to usko zakaat de Sakte he’n, Wo zakaat ki Maalik hone ke baad chahe to apne Shohar per aur Bachcho per bhi kharch kar sakti he,*

*★_ Bani Haashim ko Zakaat,,,,*

*⇨ isi tarah Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Abbas Raziyallahu Anhu, Hazrat Zaafar Raziyallahu Anhu, Hazrat Aqeel Raziyallahu Anhu, Hazrat Haaris bin Abdul Muttalib Raziyallahu Anhu ki Aulaad ko bhi zakaat dena na-jaa’iz he,*

*⇨Kyuki ye sab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke khandan se he’n, Agar ye gareeb he’n to unki madad aur iaanat Hadaya, atiyaat se karni chahiye,*
*↳® Sharah Bidaya, 2/188,*

*📘 Fiqhul ibadaat, 289,*
       
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
        *✺ Mutafarrik ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Zakaat lene wale ke jaahir ka etbaar hoga, agar jaahir ke haal ko dekh kar dil maanta ho k ye mustahiq hoga uako zakaat de di jaye,*
*⇨ Agar koi mustahiq na ho balki apne aapko jaahir kare aur uske jaahir ko dekh kar guman ke mutabik zakaat de di gayi to zakaat Ada ho gayi, magar zakaat ese bheek mango ko nahi dena chahiye,*

*★_Jisko zakaat di jaye usko batana Zaroori nahi k ye zakaat ki raqam he, sirf zakaat ki niyat kar lena kaafi he,*

*★_imaam e masjid agar mustahiq he to zakaat de sakte hai, lekin tankhwah me zakaat ki raqam nahi de sakte,*

*★_ Gair Muslim ko zakaat dena jaa’iz nahi,⇨nifli sadqa de sakte hai,*

*★_ Deeni Madaris ko zakaat dena behtar he,kyuki gurba masakeen ki iaanat ke saath saath uloome deeniya ki sar parasti bhi hoti he,*

*★ _Falahi idaare tamaam ( Jo zakaat vasool kar ke mustahiq tak pahunchate hai) zakaat ke vakeel hai jab tak mustahiq ko Ada na kar de,*

*★_ Zakaat se chanda vasool karne wale ko muqarrarah hissa ( commission) Dena jaa’iz nahi,*

*📘 Aapke Masail aur unka Hal, 3/390,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺ Beva Ko Zakaat ka Hukm ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Baaz log ye samajhte he’n k agar koi Beva he to usko zakaat zarur deni chahiye, halanki yaha bhi shart ye he k wo mustahiqe zakaat ho, Sahibe Nisaab na ho,*
*⇨ Agar Beva mustahiqe zakaat he to uski madad karna badi achchhi baat he,*

*⇨ lekin agar koi Beva khatoon mustahiqe zakaat nahi to mahaz Beva hone ki Vajah se wo masrafe zakaat nahi, ( yani usko zakaat nahi de Sakte), Balki esi khatoon per to khud zakaat ki adaaygi farz hoti he,*

*★_ Lihaza khoob tehqeek ke baad zakaat di jaye, Bahut si Bevao ke bare me pata chalta rehta he k unke paas bahut kuchh maal he jiski vajah se wo khud Sahibe Nisaab he, Baharhal sirf Beva hona istahqaq ki zamanat nahi he,*
*↳ ® Hindiya,,, 1/137,*

✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
*✺ Yateem ko Zakaat ka Hukm ✺*

*★_ isi tarah yateem ko zakaat dena uski madad karna bhi bahut achchhi baat he,*

*⇨ lekin yaha bhi dekha jaye k wo mustahiqe zakaat he k nahi, Agar wo Sahibe Nisaab he to fir yateem hone ki Vajah se usko zakaat nahi di ja sakti, lihaza in ahkamaat ko madde nazar rakhte hue zakaat deni chahiye,*

*📘 Fiqhul ibadaat, 290,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
 *✺ Khair aur Tameer ke Kaam me Zakaat ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Masjid, Madarsa, Khanqah, Kunwa, Pul ya kisi idaare ki Tameer vagera me zakaat ki raqam kharch karna jaa’iz nahi,*
*⇨ Agar usme kharch kar di gayi to zakaat Ada nahi hui,*

*⇨ Kyuki us maal me zakaat ko malikana tor per nahi diya gaya, Jabki Ada e zakaat ke liye mustahiq shakhs ko maalik banakar dena zaruri he,*
*↳ ® Sharah Tanveer, 2/100,*
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
*✺ Zakaat ki Raqam in Kaamo me Bhi kharch ki Ja sakti he ✺*

*★1- Zakaat ki raqam se Deeni kitaabe aur Quran majeed chhapwakar ya khareed kar mustahiq Talba aur Ahle ilm ko maalik bana kar dena,*

*★ 2- Zakaat ki raqam se Madarse ke Talba ka mahana vazeefa muqarrar karna,*

*★ 3- Zakaat ki raqam se Madarse ke gareeb Ustaado ki muaavnat karna ( Tankhwah ke alawa),*

*★_ 4- Zakaat ki raqam se kisi zarurat mand aur haajat mand ka mahana muqarrar karna,*

*★5- Zakaat ki raqam se mujahideen ki Jihaad ki zaruriyaat poori karna,*

*★_6- Zakaat ki raqam se Gareeb Walden ki ladki ( Jo sahibe Nisaab na ho ) ki shadi me muaavnat karna, vagera vagerah,*

*📘Fiqhul ibadaat, 290,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
           *✺ Heela Tamleek ✺*

*★_ Baaz log Jo Madaris ya Masjid ke masarif aam me zakaat sarf karne ke liye ek heela kiya karte he’n k Avval kisi miskeen ko samjha diya k hum tumko …..Rupya denge, fir tum Masjid ya Madarse me de dena, aur fir usko zakaat ki raqam dete he’n wo Madarsa aur Masjid me de deta he, aur isko Heela Tamleek kaha jata he ,*

*⇨ Chunki yaqeeni baat he isme dene wala haqeeqat me us miskeen ko maalik nahi banata mahaz soorat tamleeki he, aur na hi dene wala miskeen ba tayyab khatir Masjid ya Madarsa ko deta he, lihaza is tarah zakaat Ada nahi hoti,*

*●◆●Tamleek Ki Sahi Soorat: —*

*★ _Agar kahi ese moqe per zakaat se imdaad karne ki zarurat ho to iski ek tadbeer Jo bilkul qawa’id ke mutabik he, ye he k kisi miskeen ko mashwara diya jaye k tum maslan (1000) rupya kisi se qarz lekar fala Sayyad ko de do ya Masjid ya Madarsa me de do to hum tumhari iaanat adae qarz me kara denge,*
*→Jab wo miskeen waha de de to tum us miskeen ko ( 1000 ) rupya Zakaat me de do,*
*↳ ® Makhuzaz- islahul muslimeen,*

*📘 Fiqhul ibadaat, 291,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺ Qarz Maaf karne se Zakaat Ada ka Hukm ✺*

*★_ Agar kisi gareeb Aadmi per Aapke maslan 1000 Rupya qarz he, Aur Aapke maal ki zakaat bhi 1000 Rupya ya isse zyada he to Agar aapne apna qarz usko zakaat ki niyat se maaf kar diya to zakaat Ada nahi hogi,*

*⇨ Albatta agar usko 1000 Rupya Zakaat ki niyat se de de to zakaat Ada ho gayi, Ab wahi 1000 Rupya agar apne qarz me usse vasool kar le to durust he,*
*↳ ® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 2/18,*

  *✺ Amanat aur Peshgi Raqam Per Zakaat✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Agar kisi ke paas raqam rakhwayi he to uski zakaat Amanat rakhwane wale ke zimme hogi na ki jiske paas rakhi he, Kyuki ye Raqam Amanat rakhwane wale ki milk he,*
*↳ ® Kifayatul Mufti, Jild -4,*

*★ _Kiraye ke makaan aur Dukaan ke liye Jo Raqam bator zamanat peshgi kirayedaar se li jati he wo Maalik makaan v dukaan ke paas amanat rehti he aur qabile waapsi hoti he,*
*⇨ Lihaza iski zakaat kiraayedar ke zimme he, maalik dukaan ya makaan ke zimme nahi,*
*↳® Aapke Masail aur unka Hal, Jild-3,,*

*📘Fiqhul ibadaat, 293,*
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
*✺_ Zakaat ki Niyat ka Hukm _✺*

*★_ Zakaat ki adaaygi ke liye niyat Ada e zakaat bhi zaruri he,*
*⇨ Jis waqt zakaat ka Rupiya vagera kisi mustahiq ko de, us waqt dil me ye niyat zarur kar lena chahiye k me zakaat Ada karta hu’n,*

*★_ Agar kisi ne yu’n kiya k Zakaat ki raqam hisaab karke alag karke rakhi k jab mustahiq aa jaenge to deta jaunga, to ye niyat bhi kaafi ho jaegi, fir chahe dete waqt niyat na kare,*
*↳ ® Ba- Hawala— Sharah Bidaya, 1/180*

*★_ Agar kisi mustahiq ko zakaat ka maal dete waqt Ada e zakaat ki niyat nahi ki to jab tak wo maal us gareeb( Jisko zakaat di gayi) ke paas mojood he, us waqt tak bhi niyat kar lena durust he, Ab niyat karne se bhi zakaat Ada ho jaegi,*
*⇨ Albatta faqeer ke paas se us maal ke kharch ho Jane ke baad niyat ki to us niyat ka aitbaar nahi, Ab dobara zakaat dena padegi,*
*↳® Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/16,*

*📘 Fiqhul ibadaat, 292,*
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
 *✺Thodi Thodi aur Ashya ki Shakl me Zakaat ✺*
      
*★_ Jitni miqdaar me zakaat waajib hui he uski adaygi zaruri he, chahe to saal ke Aakhir me ek musht Ada Kare to ye bhi durust he,*

*★_ aur chahe to har maah kuchh raqam thodi thodi karke peshgi saal bhar zakaat ki niyat se nikaalta rahe taki saal ke khatm per bojh na pade, Ye bhi durust tareeqa he,*

*⇨ Baharhal miqdaar zakaat waajib he iska Ada karna zaruri he chahe kisi bhi tareeqe se ho,*
*↳ ® Aapke Masail aur unka Hal, Jild-3,*

*★_ Koi shakhs agar raqam dene ke bajaye zakaat ke Rupye se galla, kapda ya digar istemali cheezo ko khareed kar mustahiq ko deta he, isse bhi zakaat Ada ho jayegi,*

*⇨ Halaat ko dekhkar chahe raqam de di jaye ya istemali cheeze khareed kar hadiya ya Tohfa ke naam se de di jaye, dono soorato me zakaat Ada ho jayegi basharte k maalik banakar di jaye,*
*↳® Ahsanul fatawa, 4/291,*
       
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
    *✺ Soodi Account aur Zakaat ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Bank account se zakaat vasool karne per baaz zahno me ye khaljaan rehta he k soodi account he aur sood aur zakaat kese jama ho sakte he’n,?*

*⇨ Agar kisi shakhs ki Aamdani halaal v haraam se makhloot ( mix ) ho aur wo majmua (Kul jamaa) me se zakaat nikaal de to koi qabahat nahi, Fark sirf itna he k halaal Aamdani ka 2.5% shar’an zakaat hoga aur haraam Aamdani ka 2.5% zakaat nahi hoga balki sadqa samjha jayega, Jo haraam Aamdani se jaan chhudane ke liye karna waajib tha,*

*★_ Asal shar’an hukm ye he k sood Lena qatan haraam he, lekin agar koi shakhs sood vasool kar le to wo poora ka poora ( soodi raqam ) fuqra v masakeen ko de dena waajib he,*

     *✺Guzishta Saalo ki Zakaat ✺*
       ✯—————————————✯
*★ Ek shakhs ne 2-3 ( Ya isse zyada) saal ki zakaat Ada nahi ki,*

*⇨ Ab doosre, teesre ( ya isse zyada ) saalo ki zakaat Ada karne ki soorat ye he k pehle saal ki zakaat munhama karne ke baad ( hisaab karne ke baad) Jo Raqam bachti he doosre saal us per zakaat Ada kare, Fir uske baad Jo Raqam bachti he teesre saal uski zakaat Ada kare,*

*⇨( isi tarah guzishta tamaam baqiya saalo ka hisaab karke zakaat Ada kare)*
*↳ ® Ba- Hawala, Bidaya, 2/7,*

*📘Fiqhul ibadaat, 299,*
       
○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
  *✺Zakaat dene me Galti ho Jaye To iska Hukm ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Agar kisi shakhs ne kisi ko gareeb v mustahiq samajhkar zakaat de di fir maloom hua k wo to zimmi kaafir ( Yani esa kaafir Jo Darul islam ke shehri huqooq rakhta ho ) ya Maaldar ya Sayyad he,*

*⇨ ya raat ke andhere me kisi ko de diya fir maloom hua k wo uski maa, uska baap ya koi esa rishtedar he jisko zakaat Dena uske liye durust nahi tha,*

*⇨ in soorato me zakaat Ada ho gayi dobara lotane ki zarurat nahi, kyuki zakaat ki raqam uski milk se nikalkar mahle sawab me pahunch chuki he aur Jo galti kisi andheri ya mugalte ki Vajah se ho gayi wo maaf he,*
*↳ ® fatawa Darul Uloom, Jild -2,*

*★_ Aur agar zakaat dene ke baad maloom hua ki jisko zakaat di he wo gair zimmi kaafir he ( yani esa kaafir Jo Darul islam ke shehri huqooq na rakhta ho ) to fir zakaat Ada nahi hui, dobara ada karna padegi,*

*⇨ Agar kisi ke bare me shak ho k maloom nahi mustahiq he ya nahi? jab tak tehqeeq na ho jaye us waqt tak usko zakaat na de, lekin agar bager tehqeeq ke de di to ab agar gumaan ye ho k gareeb tha to zakaat Ada ho gayi aur gaalib gumaan ye ho k maaldar tha to zakaat Ada nahi hogi, dobara ada karni padegi,,*

*📘 Fiqhul ibadaat, 297,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
   *✺Paydawaar Per Zakaat ( Ushr ) ✺*
       ✯—————————————✯
*★_ Ushr zameen ki paydawaar ki zakaat he, Agar zameen Barani ho k barish ke paani se seraab hoti ho to paydawaar uthne ke waqt uska 10 va hissa Allah ta’ala ke Raaste me dena waajib he,*

*★_Agar zameen ko khud seraab ( Watering) kiya jata he( kunwa, tubwell, nahar, Talaab se )to paydawaar ka 20 va hissa sadqa karna wajib he,*

*★_Hamare imaam Abu Hanifa Reh. ke nazdeek paydawaar kam ho ya zyada, us per Ushr waajib he,*

*★_Jaanwaro ke chare ke liye kaast ki gayi fasal per bhi Ushr wajib he,*

*★_ek baar Ushr Ada karne ke baad jab tak usko becha nahi jata, us fasal per dobara ushr nahi he, na hi zakaat,*

*★_ Fasal bechne ke baad Jo raqam haasil hogi us per zakaat us waqt wajib hogi jab saal guzar jaye, agar ye shakhsh pehle se hi sahibe nisab he to jis waqt ye apne nisaab per saal poora hone per zakaat Ada karega to is raqam per bhi zakaat Ada karega,*

*★_Zameen me Jo akhrajaat ( kharch) hote hai, ( beej, khad, tractor etc) paydawaar me se inko ghataya (inka kharch kam nahi kiya jayega ) nahi jayega balki poori fasal per 20 va Ya 10 va ( Jesi fasal he ) hissa Ushr Ada karna hoga,*

*★_ Qabile farokht baag, ya qabile nafa Fal ( Fruits) hone per bechne wale maalik ke zimme Ushr hoga,*

*★_ Hissedari ki Paydawaar per apne apne hisse ki paydawaar ka Ushr Ada kare, usool ye he k fasal jiske ghar aayegi zameen ka Ushr bhi us ke zimme hoga,*

*★ Ushr ki raqam bhi zakaat ki tarah fuqra masakeen ko di jayegi,*

*⇨ Tamaam Masail ko, behtar ye he k apne Ulma Kiraam se samajha jaye,*

*➖Alhamdulillah Mukammal Hue ➖*

*📘Aapke Masail aur unka Hal,, 3/408,*

○═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅═┅○
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*    
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/DAloyOp8VLHBqfy4b0xcnE
*👆🏻 What's app All Post Ke liye Join Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,* 
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments