NOOR E HIDAYAT-ROMAN-(HAZRAT JI KA EK AHAM KHAT)

*❈❦ 3❦❈*       
        ☜█❈ *Haqq Ka Daayi*❈ █☞
      ☞❦ *NOOR- E -HIDAYAT* ❦☜           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
         *☞_Usool Kï Paabandi ,*

*❀↬• Hazrat Ji Reh Dawat ke Kaam ke liye usool Kï Pabandi behad zaroori samajhte they, Wo Chhe ( 6 Sifaat ) usool Jin per is kaam ka poora poora akhsaar hai unki pabandi ko laazmi qaraar dete,*

*❀• Ek Waqt Tehreer farmaya :- Usool Kï pabandi ka bahut hi zyada lihaaz rakha jaye, ilm v Zikr, Khidmat ikraam e Muslim, Tableeg Dua vagera mai sabko mshgool rakhte hue layani se parhez ka ahatmam kiya jaye, Raato ko Rone ko bahut badaya jaye, bilkhusoos ikrame Muslim ke number ki khoob Wazaahat karte hue Amal kiya jaye aur karaya jaye,*

*❀• Haaji Fazal Azeem Sahab ko tehreer farmate hue likha :- Kaam ka Faayda hamesha uske usoolo ke Saath karne se hota hai , Usoolo Kï be unwaani ka fasaad iske islaah ko daab leta hai aur iske khair se muntafa nahi hone deta ,Jama’ato ke nikalne Kï khabre to Jagah Jagah se aati hai, magar unke usool ke istemal Kï Jo kaam ke liye Rooh aur Magaz Kï haisiyat rakhte hai’n, unka tazkira tak nahi hota,*

*❀• Sabse aham juz ilm v Zikr ka ahatmam hai Jo Mahaz Allah Ta’ala Kï marziyaat per chalne aur Amaale marziya ke zariye Allah Ta’ala ka qurb haasil karne aur apne nafs aur khudi ko mitaane ke liye hai , ilm v Zikr Kï taraf nisbat rakhne wale buzurgo Kï azmat ko dil mai mehsoos karna ,*

*❀. Jo kaam kiya jaye uski ittela ke zariye aur mushawrat ke zariye unki badaai ko pehchanna aur unke huqooq ko ada karna aur isi Tarah Duniyavi line mai maaddi bado ke huqooq ko ada karna aur apne maaddi Kaamo mai unki mushawrat ko bhi Shamil karna ,*

*❀•Doosra aham juz ye hai k Apne se chhote Deen Kï Line, ilm Kï Line Maal Kï Line, Rishte Kï Line ke chaaro Line ke chhoto ke Saath Raham v Shafqat v hamdardi aur ikhwat ke zariye unhe is kaam ke andar zyada se zyada lagane Kï koshish karna aur unki zimmedarana nigrani karna,*

*❀_ is Line ke huqooq ada karne Se Wo Mashakkat uthaane wala tabqa jiske andar humse kai zyada khuloos hai ,Kasrat se isme Shareek hoga, Jinke is kaam mai lage bager kaam gair mustaqil, satahi aur Juzvi hai ,Aur arbaabe Ahle ilm v Zikr ke huqooq Kï adaygi ke zariye kaam mai Vazan aur Noor Paida hoga ,Jiske bager kaam satahi aur na payedaar hai ,,*        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
         *☞_ Aurto’n mai Kaam,*

*❀↬• Hazrat Ji Reh jis Tarah Mardo'n me Deeni Dawat ka Kaam zaroori samajhte they usi Tarah Aurto’n me bhi is kaam Kï zarurat ko mehsoos karte they, isliye k Aurto’n hi Kï durustgi se Mardo aur Bachcho me Deeni inqlaab paida ho sakta hai,*

*❀• Hazrat Ji Reh Kï zindgi me bahut pehle se Aurto’n mai kaam shuru ho chuka tha, Hazrat ji Aurto’n me kaam karne ke silsile me nazakato ko bayan karte hue mukhtalif hidayaat diya karte they,*

*❀• Ek Maktoob me Maulana Ubedullah Sahab Balyavi ko Aurto’n mai kaam ke tareeqo Kï Wazaahat Farmate hue likhte hai’n :–*
*__ Aurto’n Kï Tableeg mai Sirf ye kiya jaye k Aurte’n Deeni Kutub padhe Padhaye, Sunaye, islaami rivaaj Kï poori pabandi kare aur apne mutalliqeen ko bhi iska paband kare ,Apne Mardo ko Deen seekhne ke liye Tableeg ke andar Baahar bheje ,Taki Jo kuchh Seekh kar aaye Wo unko sikhaaye, Aurto’n ko gaaht Kï qata’an ijazat na Dï jaye,
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
   *☞_Har Haal mai Dawat Ka Kaam*_

*❀↬• Hazrat Ji Reh. har haal mai Dawat e Deen ke Kaam se talluq ko zaroori samajhte they, Chahe Bimaari ho ya Tandurasti ,Khushi ho ya Gam, Tangdasti ho ya Farakhi ,Unke Nazdeek in tamaam soorto mai Dawat mai lagne se Sawab badht hai aur insaan Kï Deeni taraqqi ke Raaste khulte hai’n, Khusoosan Kaam se talluq rakhne walo ko kisi waqt bhi gaflat aur kotahi ko bahut bada nuqsaan samajhte they,*

*❀• Ek Sahab Jo Apni alaalat Kï bina per Kaam se be talluq ho gaye they, Unko tehreer farmaya :-*
*_ Mere Dost ! Ye kaam Haq Ta’ala Kï ek niyamat hai Jo ata Kï gayi hai, Niyamat Kï qadardaani aur Haq Kï adaaygi niyamat ko badhati hai aur isme kotaahi bahut Khatre Kï cheez hai Kaam Dhandha aur Dukh Bimaari to har Dam Aadmi ke Saath hai aur is imtehaan ke liye hai k Hamara Banda hamare talluq Kï vajah se Hamare Hukm Kï qadardaani kar ke Deen ko muqaddam karta hai Ya gaflat ke Saath zarurat aur apne Dukh Sukh ko Apni Raay se dekhta hai,*

*❀• Bahar haal samajhdaar wahi hai Jo is waqt is cheez Kï qadar kare aur Ye bhi zaahir hai k kaam karte rehne aur Milte Julte rehne hi se Aadmi aage badhta hai,*
  
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Ek Maa’n Kï Khidmat mai Guzarish*

*❀↬• Ek purane qareebi Rafeeq Jo Markaz mai muqeem they aur unki vajah se Tableeg Kaam ko bahut Faayda pahunch raha tha ,Unki Waalida ne unko bula liya To Hazrat Ji Reh ne Un Mohatrama Kï Khidmat mai in alfaaz mai unke Markaz mai Ruke rehne Kï ijazat maangi ,:- Adaabo Salam ke baad farmaya :-*
*"_ Aalam mai Jab Deen ke liye Daud Dhoop karne wale Kasrat se they, har Shakhs uske liye Qurbani deta tha, Bachche Machal machal kar Jaan qurbaan karne ke liye aage badhte they ,Maae’n Bachcho ki Qurbani per Sajda e Shukr ada karti thi,*

*❀• Parvarish isliye hoti thi k Ye Allah ke Deen ke kaam aayega aur Kaam aa Jane per isko Sa’adate Azeemi samjha jata tha , Ese Waqt mai Musalmano ke liye Haq Ta’ala Kï taraf se beshumaar nusrate Saath hui ,Bavjood Qillat ke Duniya per gaalib hue, Duniya ko jab Thukraya to Duniya Qadmo mai aayi ,Ounto Kï Nakele pakad kar nikle to Allah ne Hukumat Kï baag dor haath mai de Dï,*

*❀ • Khulasa ye hai k Huzoor E Akram ﷺ ke Mubarak Kaam ke liye apni zarurato ko pichhe daal kar har waqt Kamar kase hue they, Jab Ansare Madina ne beshumaar Jaddo Jahad Kï aur Gharo ko chhodne aur Aalam mai firne Kï vajah se Tijaarato aur Bagaat ka pada hone laga to Ansare Madina ne Huzoor E Akram ﷺ se sirf Chand Hafte ke liye mohlat maangi ,to Haq Ta’ala ne Quran mai Tambeeh farmayi,*

*❀. Mohatrama Asal baat ye hai k Jab tak is jazbe se kaam karne wale mojood rahe k apni zarurat rahe na rahe Allah ke Deen Kï koshish hoti rahe,Tab tak Allah Ta’ala Kï beshumaar rehmate shamile haal rahi aur Musalman Aalam mai Sardaar bane rahe,*

*❀_Aur Jabse Musalmano ne apni zarurato ko muqaddam karne ka rivaaj daal diya aur Aalam mai Deen Kï zarurat ke muqable mai Apni zarurato ko qurban karne wale nahi rahe to Allah Kï nusrato se Mehroomi Shuru ho gayi, Nobat Yaha tak aa gayi k Aaj Aalam mai chaaro taraf Musalmano per balaao ke pahaad toot rahe hai ,Masa’ib khul kar saamne aa gaye hai ,ESE waqt mai kuchh kuchh Jaddo Jahad ( Dawat Tableeg ) Deen Kï taraqqi ke liye Shuru hui, Markaz mai Aadmiyo Kï Shiddate qillat hai, Ese Waqt mai Aapne apne Bete ko bulaya hai ,Kaam Kï zarurat ke peshe Nazar to mai yahi darkhwast karunga k Deen Kï ahama zarurat ke peshe nazar Aap rukhsat marhamat farma de, Aapse yahi Guzarish hai Agar Aapka fir bhi bulane kA israar ho to mujhe foran Taar dijiye mai bhej dunga,”,
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
   *☞_Ek Ahamtareen Maktoob,*

*❀↬• Hazrat Ji Reh . ka ek ahamtareen Maktoob darj kiya ja raha hai Jo Haqeeqat mai Tableeg ke maqasid ,Usool ,Tariqa e kaar, Munafe, Nata’ij v samraat aur Khurooj fi sabilillaah Kï zaroori hidayaat per bahut jame hai,*

*❀• Ye Maktoob un saari Jama’ato ke liye hai Jo Tableeg ke Safar per rawana hoti rehti hai’n aur Un tamaam hazraat ke liye Jo is Raaste mai apne Awqaat faarig karte rehte hai’n nihayat hi mufeed aur iska padhna bahut zaroori hai,*
*__ Chunki Ye Maktoob bahut Taveel hai isliye humne sahuliyat ke etbaar se aur Padhne mai asaani aur mufeed ho isliye moqa moqe per bagli surkhiya laga Dï hai’n,*

*❀• Baad Khutba v Salaam aur Khairo aafiyat ke Hazrat ne taraqqi ki Duae’n Dï :-* 
*__Allah Jalshanhu Aap Hazraat Ko taraqqiyaat ata farmaye ,sahi nahaj per Aap Hazraat Kï Hifazat farmaye aur poori Tarkeeb v tarteeb Kï samajh ata farmaye , ( Aameen )
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
   *☞_Ek Aham Khat –1, Kaamyabi Aur Nakaami Ka Daromadaar,*

*❀↬• Allah Rabbul izzat Jal jalaalhu v Amm nawaluhu ne insaano Kï Tamaam Kamyabiyo ka daromadaar insaan ke androoni maaya per rakha hai, Kaamyabi aur Nakaami insaan ke andar ke haal ka Naam hai, Bahar Kï cheezo ke naqshe ka Naam Kaamyabi v Nakaami nahi hai,*

*❀_ izzat v zillat ,araam v takleef, sukoon v Pareshani, Sahat v Bimaari insaan ke andar ke halaat ka Naam hai, In halaat ke banne ya bigadne ka bahar ke naqsho se talluq bhi nahi ,Allah Jalshanhu mulko maal ke Saath insaan ko zaleel kar ke dikha de aur Faqr ke naqshe mai izzat de kar dikha de,*

*❀ • insaan ke andar Kï maaya uska Yaqeen aur Uske A’amaal hai’n, insaan ke andar ka yaqeen aur andar se nikalne wale A’amaal agar theek honge to Allah Jalshanhu andar Kaamyabi Kï Haalat paida farma de'nge chahe cheezo ka naqsha kitna hi past ( پست ) ho ,,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
              *☞__imaan Billaah,*

*❀↬• Allah Jalshanhu tamaam Kaynaat ke har zarre ke aur har fard ke Khaaliq Maalik hai'n, Har cheez ko apni qudrat se banaya hai ,Sab kuchh unke banane se bana hai ,Wo banane wale hai'n Khud bane nahi,*

*❀• Aur Jo khud bana hua hai usse kuchh banta nahi, Jo kuchh qudrat se bana hai Wo qudrat ke maathat hai ,har cheez per unka qabza hai ,Wo hi har cheez ko istemal farmate hai'n, Wo Apni qudrat se un cheezo Kï shaklo ko bhi badal sakte hai'n aur Shaklo ko qaayam rakh kar sifaat ko badal sakte hai'n,*

*❀• Lakdi ko Azdaha bana sakte hai'n aur Azdaha ko Lakdi bana sakte hai'n, isi Tarah har Shakl per chahe mulk ho ya maal Kï ,barq Kï ho ya bhaap Kï, unka hi qabza hai aur Wo hi tasarruf farmate hai'n,*

*❀ • Jaha'n Se insaan ko tameer nazar aati hai waha'n se takhreeb laa kar dikha de aur Jaha'n se takhreeb nazar aati hai waha'n se tameer laa kar dikha de, Tarbiyat ka nizaam wohi chalate hai'n, Saari cheezo ke bager Ret per daal kar paal de aur Saare saazo samaan mai Parvarish bigaad de ,,*
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ imaan v Yaqeen Ka nateeja aur Uski Dawat,*

*❀↬• Allah Jalshanhu Kï zaate aali se talluq paida ho jaye aur uski qudrat se baraahe raast Faayda uthane ke liye Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Allah Kï taraf se tareeqe le kar aaye hai'n, Jab unke tareeqe Zindgi mai aayenge to Allah Jalshanhu har naqshe mai Kaamyabi de kar dikhayenge,*

*❀• Laa ilaaha illallaahu Muhammadur Rasoolullah mai apne yaqeen aur apne jazbe aur apne tareeqe ko badalne ka mutaalba hai ,Sirf yaqeen Kï tabdeeli per hi Allah Ta'ala is zameen v Asmaan se kai gunaa zyada badi jannat ata farmayenge, Jin Cheezo mai se Yaqeen nikal kar Allah Kï zaat mai aayega un saari cheezo ko Allah Paak musakhkhar farma denge ,*

*❀. Is Yaqeen ko Apne Andar paida karne ke liye ek to is Yaqeen Kï Dawat deni hai ,Allah Kï badayi samjhani hai ,Unki Rububiyat samjhani hai, Unki qudrat samjhani hai, Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam ke Waqiyaat sunane hai, Khud Tanhaaiyo mai beth kar Sochna hi Dil mai is Yaqeen ko utaar ta hai, Jiski majma mai Dawat Dï hai, Yahi Haq hai aur Fir Ro Ro kar Dua Maa'ngni hai k Ey Allah ! Is Yaqeen Kï Haqeeqat se nawaaz de ,,*
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Namaz Ka Ahatmam aur Uski Dawat,*

*❀↬• Allah Jalshanhu Kï qudrat se Barahe Raast Faayda haasil karne ke liye Namaz ka Amal diya gaya hai,*

*❀• Sar se le kar Payr tak Allah Kï Raza wale makhsoos tareeqe per pabandiyo ke Saath apne ko istemal apne ko istemal karo, Aa'nkho ka Kaano ka Haatho ka Zubaan ka aur Payro ka istemal theek ho, Dil mai Allah ka dhyaan ho Allah ka khof ho, Yaqeen ho k Namaz mai Allah ke Hukm ke mutabiq mera har istemal Takbeer v Tasbeeh, Ruku v Sajda, Saari kaynaat se zyada inamaat dilane wala hai,*

*❀_ is Yaqeen ke Saath Namaz padh kar haath faila kar maa'nga jaye, To Allah Paak apni qudrat se har zaroorat ko poora karenge, Esi Namaz per Allah Paak Gunaaho ko maaf bhi farma de'nge, Rizq mai barkat bhi denge ,taa'at Kï Tofeeq bhi milegi _,*

*❀_ ESI Namaz seekhne ke liye doosro ko Khushu v Khuzu wali Namaz Kï Targeeb v Dawat Dï jaye, is per Akhirat aur Duniya ke nafe samjhaye jaye, Huzoor ﷺ aur Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum wali Namaz ko Sunana Khud apni Namaz ko achcha karne Kï mashq karna, Ahatmam Se Vazu karna, Dhyaan Jamana, Qiyaam mai, Qa'ade mai, Ruku mai, Sajde mai bhi dhyaan kam se kam teen martaba jamaya jaye k Allah mujhe dekh rahe hai'n,*

*❀•_ Namaz ke baad socha jaye k Allah Kï Shaan ke mutabiq Namaz na hui ,is per Rona aur Kehna k , Ey Allah ! Hamari Namaz mai Haqeeqat paida farma ,,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
                  *☞__Ilm aur Zikr*

*❀↬• ilm Se muraad ye hai k humme tehqeeq ka jazba paida ho jaye, Mere Allah mujhse is haal me kya chahte hai'n ? aur fir Allah ke dhyaan ke Saath Apne Aapko us Amal me laga dena ye Zikr hai,*

*❀_• Jo Aadmi Deen Seekhne ke liye Safar karta hai uska ye safar ibaadat me likha jata hai, is Maqsad ke liye chalne walo ke payro ke niche Sattar Hazaar Farishte Apne paro ko bichhate hai'n, Zameen v Asmaan Kï saari makhlooq unke Liye Duae magfirat karti hai'n,*

*❀_ •Shaitaan per Ek Aalim Hazaar Aabido se zyada bhaari hai, Doosro me ILM ka shoq paida karne Kï koshish Kï jaye, Faza'il sunaye jaye'n, Khud taleem ke halko me betha jaye, Ulma Kï Khidmat me Haazri Dï jaye, isko bhi ibaadat Yaqeen kiya jaye Aur Ro ro kar maa'nga jaye k Allah Jal shanhu ILM Kï Haqeeqat ata farma de,*

*❀_• Har Amal me Allah Jal shanhu ka dhyaan Paida karne ke liye Allah ka Zikr hai, Jo Aadmi Allah ko yaad karta hai Allah Ta'ala usko yaad farmate hai'n, Jab tak Aadmi ke ho'nt Allah ke Zikr me hilte rehte hai'n Allah Jal shanhu uske Saath hote hai'n, Allah Paak apni Muhabbat v magfirat ata farmate hai'n, Allah ka Zikr Shaitaan se Hifazat ka qila hai,*

*❀_• Khud Allah ka dhyaan Paida karne ke liye doosro ko Allah ke Zikr per Amada karna , Targeeb dena, Khud dhyaan Jama kar k mere Allah mujhe dekh rahe hai'n, Zikr karna aur Ro ro kar Duae'n maangna k Ey Allah ! Mujhe Zikr Kï Haqeeqat ata farma ,,* 
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞__Ikraam e Muslim*

*❀↬• Har Musalman ka ba Haisiyat Rasulullah ﷺ ka Ummati hone ke ikraam bhi karna hai , Har ummati ke aage bichh Jana, Har Shakhs ke huqooq ko ada karna aur Apne huqooq ka mutalba na karna,*

*❀_ Jo Aadmi Musalman Kï parda poshi karega Allah Jalshanhu uski Parda poshi farmayenge , Jab tak Aadmi apne Musalman bhai ke kaam mai laga rehta hai Allah Jalshanhu uske kaam mai lage rehte hai'n,*

*❀• Jo Apne Haq ko maaf kar dega Allah Jalshanhu usko Jannat ke beech mai Mahal ata farmayenge, Jo Allah ke liye doosre ke aage tazallul akhtyar karega Allah Jalshanhu usko raf'at v bulandi ata faryenge,*

*❀• iske liye doosro mai Targeeb ke zariye ikraame Muslim ka shoq paida karna hai, Musalman Kï qeemat batani hai, Huzoor ﷺ ke akhlaaq, hamdardi, isaar ke waqiyaat sunane hai, Khud iski mashq karni hai aur Ro ro kar Allah Jalshanhu se Huzoor ﷺ wale akhlaaq Kï Tofeeq maangni hai ,,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞___Husne Niyat*

*❀↬• Har Amal mai Allah Jalshanhu Kï Raza ka jazba ho, Kisi Amal se Duniya Kï Talab ya apni Haisiyat banana Maqsood na ho,*

*❀• Allah Kï Raza ke jazbe se thoda sa Amal bhi bahut inamaat dilwayega, aur iske bager bahut bade bade Amal bhi giraft ka Sabab banenge,*

*❀• Apni Niyat ko durust karne ke liye doosro mai Dawat ke zariye niyat ko sahi karne Kï fikr v Shoq paida kiya jaye,*

*❀ • Apne Aap per Amal se pehle aur har Amal ke dauraan niyat ko durust karne Kï mashq Kï jaye , Mai Allah ko Razi karne ke liye ye Amal kar raha hu aur Amal Kï takmeel per apni niyat ko naaqis qaraar de kar Tauba v istigfaar kiya jaye aur Ro Ro kar Allah Jalshanhu se ikhlaas maanga jaye ,,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞__ Ek Aham Khat -,Allah Ke Raaste Kï Mehnat aur Dua,*

*❀↬• Aaj Ummat mai kisi had tak infiraadi amaal ka rivaaj hai lekin unki Haqeeqat nikli hui hai, Huzoor ﷺ Kï khatme Nabuwat ke tufail poori Ummat ko Dawat wali Mehnat mili thi ,iske liye Bando ka talluq Allah Jalshanhu se qaayam ho jaye iske liye Ambiya Alaihissalam wale tarz per apne jaan v maal ko Jho'nk dena aur Jinme Mehnat kar rahe hai'n unse kisi cheez ka taalib na banna ,iske liye Hijrat bhi karna aur Nusrat bhi karna hai,*

*❀•Jo Zameen Walo Per Raham Karta hai Aasmaan Wala Us Per Raham Karta hai, Jo doosro ka talluq Allah Jalshanhu se jodne ke liye imaan v amale saleh Kï Mehnat kare'nge Allah Jalshanhu unko Sabse Pehle imaan v Amal E Saleh Ki Haqeeqato se nawaaz kar Apna talluq ata farmayenge,*

*❀ • is Raaste mai ek Subeh ya ek Shaam ka nikalna poori Duniya aur Jo kuchh isme hai ( ba aitbaar maal ke bhi aur ba aitbaar cheezo ke bhi ) is Sabse behtar hai,*

*❀. Isme har maal ke kharch aur Allah ke har Zikr v Tasbeeh aur Har Namaz ka Sawab Saat Laakh guna ho jata hai , is Raaste mai Mehnat karne walo Kï Duae'n Ambiya Alaihissalam Kï Duao'n Kï Tarah qubool hoti hai'n yani Jis Tarah unki Duao'n per Allah Jalshanhu ne zaahir ke khilaaf apni qudrat ko istemal farma kar unko Kaamyaab farmaya aur baatil khaako ko tod diya, isi Tarah is Mehnat ko karne walo Kï Duao'n per Allah Jalshanhu Zaahir ke khilaaf apni qudrat ke muzahire farmayenge aur Agar Aalami Buniyaad per Mehnat Kï gayi to tamaam Ahle Aalam ke quloob mai unki Mehnat ke asar se tabdiliya layenge,*

*❀• Deen Ke doosre Amaal Kï Tarah Hume ye Mehnat bhi karni nahi aati, Doosro ko is Mehnat ke liye amaada karna hai, iski ahmiyat aur qeemat batani hai, Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke waqiyaat sunane hai'n, Khud Apne aapko Qurbani Kï shaklo aur Hijrat v Nusrat wale Amaal mai lagana hai,*
*❀__ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum har haal mai Allah Kï Raah mai nikle hai'n, Nikaah ke waqt, Rukhsati ke waqt, ghar mai wiladat ke moqe per aur wafaat ke moqe per ,Sardi mai, Garmi mai ,Bhook mai, faaqe mai, Sahat mai, Bimaari mai, quwwat mai zof mai, Jawani aur budhape mai bhi nikle aur Ro ro kar Allah se maanga hai k Hume is Aali Mehnat ke liye qubool farma le,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Masjido Mai Karne Ke Kaam,*

*❀↬• in cheezo (6 Sifaat se) se munaasbat paida karne ke liye har Shakhs se chahe Wo Kisi bhi shobe se talluq rakhta ho, Chaar Maah ka mutalba kiya jata hai,*

*❀• Apne mashagil, saazo samaan se aur ghar baar se nikal kar in sifaat Kï Dawat dete hue aur khud mashq karte hue Mulk ba Mulk, Aqleem ba aqleem, Qaum ba Qaum firenge,*

*❀• Huzoor ﷺ ne har Ummati ko Masjid wala banaya tha, Masjid ke kuchh makhsoos Amaal diye they, un Amaal se Musalmano Ka zindgi mai imtiyaz tha,*
*__ Masjid mai Allah Kï badaai Kï, imaan Kï, Akhirat Kï baate hoti thi, Amaal se zindgi banne Kï baate hoti thi, Amalo ko theek karne ke liye Taleem hoti thi, Imaan v Amale Saleh Kï Dawat ke liye Mulko aur ilaaqo mai Jane Kï tashkeele bhi masjid se hi hoti thi, Allah ke Zikr Kï majlis masjid mai hoti thi,*

*❀• Masjid mai ta'awun, isaar aur Hamdardiyo ke Amaal hote they, Har Shakhs, Haakim, Mahkoom, Maaldar, gareeb, Taajir, zara'a, mazdoor Masjid hi mai aa kar zindgi seekhta tha aur Bahar jaa kar apne apne shobe mai Masjid wale tassur se chalta tha,*

*❀. Aaj hum dhoke mai pad gaye k Hamare paise se Masjid chalti hai, Masjide Amaal se khaali ho gayi aur Cheezo se bhar gayi, Huzoor ﷺ ne Masjid ko bazaar walo ke taabe nahi kiya, Huzoor ﷺ Kï Masjid mai na Bijli thi , na Paani tha, Na gusal khane they, Kharch Kï koi shakl nahi thi,*

*❀• Masjid mai aa kar Daayi banta tha ,Mu'allim aur muta'allim banta tha , Zaakir banta tha ,Namazi banta tha,mutee banta tha, muttaqi, Jaahid banta tha ,Baahar jaa kar theek zindgi guzaarta tha, Maajide Bazaar walo ko chalati thi,*
*__ in chaar maah mai har Jagah jaa kar masjido mai har ummati ko laane Kï mashq kare , Masjid Wale Amaal seekhte hue doosro ko ye Mehnat seekhne ke liye teen chillo ke waaste amaada kare,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
   *☞__Maqaami Gasht v ijtima'a,*

*❀↬• Waapas (Waqt lagane Ke baad ) Apne maqaam per aa kar apni basti Kï Masjid mai in Amaal ko zinda karna hai, Hafte mai Do martaba Gasht ke zariye Basti walo ko Jama karke unhe inhi Amaal Kï taraf mutavajjah karna aur mashq ke liye har ghar se ek fard ko Teen chillo ke liye Bahar ( Raahe Khuda mai ) nikaalna hai,*

*❀• Ek Gasht apni Masjid ke mahol mai aur doosra Gasht doosri Masjid ke mahol mai kare, Har Masjid mai maqaami Jama'at bhi banaye ,Har Masjid ke ahbaab rozana fazail Kï taleem kare,*

*❈…Har Mahine Teen Din Kï Jama'at ,*

*❀• Apne Shehar ya Basti ke qareeb Dehaat mai kaam Kï fiza bane iske liye har Masjid se Teen Din ke liye Jama'ate bane Aur 5 Kos ke ilaaqe mai jaye,*

*❀ • Har Saathi mahine mai Teen Din Pabandi se lagaye, Teen Din per hukman Tees Din ka Sawab milega, Poore saal Har Mahine Teen Din lagaye to poora saal Allah Kï Raah mai Shumaar hoga,*

*❀. Androon Mulk ke taqaze poore hote rahe aur Apni mashq qaayam rahe aur jaari rahe,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Chilla aur Teen Chille Lagana aur Unki Dawat dena ,*

*❀↬• Har Saal Ahatmam se Chilla lagaya jaye • Umar mai kam se kam Teen Chille , Saal mai Chilla , Mahine mai Teen Din , Hafte mai Do Gasht, Rozana Taleem, Tasbihaat, Tilawat ye kam se kam nisaab hai k hamari zindgi Deen wali banti rahe,*

*❀• Agar hum ye chahe k Hum Sabab v zariya bane ijtimayi tor per poori insaniyat Kï zindgi ke sahi rukh per aane aur Baatil ke toot ne ka, to iske liye is nisaab se bhi aage badhna hoga ,*

*❀_• Hamare Waqt aur Hamari Aamdani ka nisf ( half ) Allah Kï Raah mai lage aur Nisf Karobaar aur ghar ke Masa'il mai, Kam se kam ye ho k Ek tihaai Waqt aur Aamdani Allah Kï Raah mai aur Do Tihaai apne mashagil mai, Yani har saal Chaar Maah Kï tarteeb bithayi jaye,*

*❀_Aap Hazraat Umar mai kam se kam Teen Chillo Kï Dawat Khoob jam kar de , isme bilkul na ghabraye ,iske bager Zindgi ke rukh nahi badlenge,*

*❀• Jin ahbaab ne khud abhi Teen Chille na diye ho'n Wo bhi is niyat Se Khoob jam Kar Dawat de'n k Allah Jal shanhu iske liye Hume qubool farmaye,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
     *☞__ Gasht aur Iski Ahimyat ,*

*❀↬• Gasht ka Amal is kaam mai Reedh Kï haddi Kï si ahmiyat rakhta hai, Agar ye Amal sahi hoga to qubool hoga, Dawat Qubool hogi Hidayat aayegi aur Gasht qubool na hua to Dawat qubool na hogi ,Dawat qubool na hui Dua qubool nahi hogi ,Dua qubool na hui Hidayat nahi aayegi,*

*❈_Gasht Ka Mozu aur Dawat :- Gasht Ka mozu ye hai k Allah Jalshanhu ne hamari Duniya aur Akhirat ke MASA'IL ka hal Hazrat Muhammad ﷺ ke tareeqe per zindgi guzaarne mai rakha hai,*

*❀• Unke tareeqe hamari zindgiyo mai aa jaye iske liye Mehnat Kï zarurat hai, is Mehnat per Basti walo ko amaada karne ke liye Gasht ke liye Masjid mai Jama karna hai,*

*❀ • Namaz ke baad elaan kar ke logo ko roka jaye , Elaan Basti ka koi Ba- Asar Aadmi ya imaam Sahab kare to Zyada munasib hoga, agar Wo humko (Mehmaan Jama'at ko) kahe to Hamare saathi kar de,*         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞__ Gasht Ke Adaab ka Bayan ,*

*❀↬• Fir Gasht Kï ahmiyat zarurat aur qeemat batayi jaye ,iske liye amaada kiya jaye, Jo Taiyaar ho unko achchhi Tarah Adaab samjhaye,*

*❀• Allah ka Zikr karte hue chalna hai , Nigaahe nichi ho ,Hamare tamaam Masa'il ka talluq Allah Jalshanhu Kï zaate aali se hai ,in bazaaro mai faili hui Cheezo se kisi masle ka talluq nahi, Cheezo per nigaah na pade, dhyaan na jaye , agar nigaah pad jaye to Mitti ke dhele maloom ho,*

*❀• Hamara Dil agar in cheezo Kï taraf fir gaya to fir hum jinke paas ja rahe hai'n, Unka Dil un cheezo se Allah Kï taraf kese firega, Qabr ka dakhila saamne ho ,is Zameen ke niche Jana hai ,Mil jul kar chale,*

*❀. Ek Aadmi baat kare ,Kaamyab Hai Wo baat karne wala Jo Mukhtasar baat kar ke Aadmi ko Masjid bhej de'n,*
*_ Bhai Hum Musalman hai'n, Humne Kalma Laa ilaaha illallahu Muhammadur rasoolullah padha hai, Hamara Yaqeen hai k Allah paalne wale hai'n, Nafa nuqsaan, izzat v zillat Allah ke haath mai hai, Agar Hum Allah ke Hukm per Hazrat Muhammad ﷺ ke tareeqe per zindgi guzaarenge to Allah Raazi ho kar hamari zindgi bana denge , Hum sabki zindgi Allah Jalshanhu ke Hukm ke mutabiq Hazrat Muhammad ﷺ ke tareeqe per aa jaye, iske liye Bhai masjid mai kuchh Fikr Kï baat ho rahi hai,"*
*"_Namaz padh chuke ho to bhi utha kar masjid mai bhej de,*

*❀•(Zarurat ho to aage Namaz ko bhi unwaan bana le) Allah ka Sabse bada Hukm Namaz hai, Namaz padhenge to Allah rozi mai barkat dega, Gunaaho ko Khatm farma dega, Duae'n qubool farmayega,( Basharate Sunayi jaye Waiyde nahi ) Namaz ka waqt ja raha hai ,Masjid mai chale,*
*_ Ameer Kï ita'at karni hai, Waapsi mai istigfaar karte hue aana hai,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
            *☞__ Gasht ka Tareeqa,*

*❀↬• Gasht ke Adaab ka muzakra karne ke baad Dua maang kar chal de'n, Gasht mai Dus Aadmi jaye'n, Masjid ke qareeb makanaat per Gasht kare, Makanaat na ho to Bazaar mai Gasht kar le, Jama'at mai zyada Aadmi ese ho'n Jo Gasht mai usoolo Kï pabandi kar le'n,*

*❀ • Masjid mai Do Teen Aadmi chhod de, Naye Aadmi zyada ho jaye to unko bhi samjha kar masjid mai maahgool kar de'n,*

*❀. Masjid mai ek saathi Allah Jalshanhu Kï taraf mutavajjah ho kar Zikr v Dua mai mashgool rahe, Ek aane wale ka istaqbaal kare, Zarurat ho to Vazu karwa kar namaz padhwa de aur Ek saathi aane walo ko Namaz tak mashgool rakhe, Apni zindgi ka Maqsad samjhaye,*

*❀• pone ghante Gasht ho, Namaz Se saat Aath minute pehle Gasht khatm kar de , Sab takbeer Avla ke Saath Namaz mai Shareek ho ,,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
       *☞_ Mutaalba aur Tashkeel,*

*❀↬• Mutaalba aur Tashkeel ke waqt Mehnat sari Dawat ka magz banti hai, Agar Mutaalba per Jam kar mehnat na hui to Fir kaam Kï baate Reh jayegi aur Qurbani wajood mai na aayegi ,to Kaam Kï jaan nikal jayegi,*

*❀• Dawat dene wala hi Mutaalba kare ,Ek saathi Khade ho kar naam likhe, Naam Likhne wala mustaqil taqreer Shuru na kare ( Ye Aksar Dekhne mai aata hai k Naam likhne wala saathi bhi apni Baat Shuru kar deta hai aur 5-10 minute le leta hai, Jisse Majme mai Bethe hue logo per ek bojh sa lagne lagta hai, Bahut se log uth kar jane bhi lag jate Hai) Ek do Jumle targeebi keh sakte hai'n, lekin Baat Shuru na kare,*

*❀• Fir Aapas mai ek doosre ko amaada karne ko kaha jaye, Fikr ke Saath apne qareeb bethne walo ko taiyaar kare, Uzr ka dil joi aur Targeeb ke Saath Hal bataye, Nabiyo'n aur Sahaba kiraam Kï qurbaniyo ke qisso Kï taraf ishara kare aur fir amaada kare,*

*❀ •Aakhir mai muqaami Jama'at bana kar unke Hafte ke do Gasht, rozana taleem, tasbihaat, Mahine ke teen Din vagera ka nazm tay karaye,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
       *☞_ Dawat Ka andaaz,*

*❀↬• Dawat mai Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saath Allah Jalshanhu ne Jo madade farmayi hai'n Wo to bayan ki jaye,*

*❀★• Aur Jo hamare Saath madade hui unko bayan na kiya jaye , Dawat mai fiza e Haazra (Jo Aaj Aam ho raha hai Ya mojooda Pasti) Kï baate na Kï jaye ,*

*❀★• Ummat mai Jo imaani Amal, Akhlaaqi kamzoriya'n aa chuki hai, Unke tazkire karne se behtar hai k asli khoobiyo'n Kï taraf yani Jo Baat (Ek Musalman ke andar ) paida honi chahiye uski taraf mutavajjah kare,*
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
              *☞_Taleem Ka Amal,*
*❀↬• Taleem mai Dhyaan Azmat Muhabbat, Adab aur Tavajjoh ke Saath bethne Kï mashq Kï jaye, Sahara na lagaya jaye ( Yani Tek laga kar na Bethe ),*

*❀★• Ba Vazu bethne Kï koshish ho, Tabiyat ke bahano ki vajah se Taleem ke dauraan na utha jaye, Baate na Kï jaye,*

*❀ • Agar is Tarah bethenge to Farishte majlis ko dhaank le'nge, Ahle majlis mai ita'at ka maadda paida hoga, Azmat Kï mashq se Hadees Paak ka Wo Noor Dil mai aayega Jis per Amal Kï hidayat milti hai,*

*❀ . Taleem mai bethte hi Adaab v Maqsad Kï taraf mutavajjah kiya jaye , Maqsad ye hai k hamare andar Deen Kï Talab paida ho jaye,*

*❀• Fazaile Quran Majeed padh kar Thodi der Kalaam Paak ke un soorto ki tajveed Kï mashq Kï jaye Jo umuman Namaz mai Padhi jati hai, Attahiyaat, Duae Qunoot Vagera ka muzakra v taseeh ijtimayi taleem mai na ho, infiradi seekhne sikhane mai taseeh kare,*

*❀• Allah Paak Tofeeq de to har Kitaab mai se teen chaar Safe padhe jaye,*

*❀• Taleem mai apni taraf se Taqreer na ho , Hadees Shareef Padhne ke baad do teen Jumle ese keh diye jaye k us Amal ka jazba v Shoq ubhar aaye,*

*❀ • Hazrat Shekhul Hadees Maulana Muhammad Zakariya Sahab Reh Kï taleef farmudah Fazaile Quran Majeed, Fazaile Namaz , Fazaile Tableeg ,Fazaile Zikr, Fazaile Sadqaat, Hissa avval- Dom, Fazaile Ramzan, Fazaile Hajj (Ayyame Ramazan v Hajj mai) aur Maulana Ahatahamul Hasan Sahab Kandhalvi Reh Kï " Musalmano Kï mojooda pasti ka Waahid ilaaj " sirf ye kitaabe hai'n Jinko ijtimayi Taleem mai Padhna aur Sunna hai aur Tanhaai mai beth kar bhi inko padhna hai,*

*❀★. Kitaabo ke baad Chhe numbero ka muzakra ho, Sathiyo se number bayan karaye jaye,*
*_Jab Taleem Shuru Kï jaye To Apne mai se Do Sathiyo ko taleem ke Gasht ke liye bhej diya jaye, 15-20 minute baad Wo saathi aa jaye to doosre do saathi chale jaye, is Tarah Basti walo ko Taleem mai Shareek karne Kï koshish hoti rahe,*

*❀★• Bahar nikalne ke zamane mai rozana Subeh aur baad Zuhar dono waqt Taleem do teen ghante Kï jaye aur Apne muqaam per rozana usi tarteeb se ek ghante taleem ho ya ibtida mai jitni der ahbaab Jud sake,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
              *☞__ Mashwara*

*❀↬• Kaam ke taqazo ko sochne ,Unki tarteeb qaayam karne ,Un taqazo ko poora karne Kï shakle banane mai aur Jo ahbaab Awqaat faarig kare unki munasib Tashkeel mai aur Jo munasib Masa'il ho unke liye ahbaab ko mashware mai Joda jaye,*

*❀• Allah Jalshanhu ke dhyaan aur Fikr ke Saath Duae'n maang kar mashware mai behta jaye ,*

*❀• Mashware mai apni Raay per israar aur Amal karwane ka jazba na ho ,isse Allah Kï madad hat jati hai, Jab Raay Talab Kï jaye amanat samajh kar Jo Baat apne Dil mai ho keh Dï jaye,*

*❀ •Raay rakhne mai Narmi ho ,Kisi saathi Kï Raay se taqabul ka tarz na ho, Meri Raay mai nafs ke shuroor Shamil hai'n, Ye Dil ke andar khayal ho, Agar faisla kisi doosri Raay per ho gaya to iski Khushi ho k Mere Shuroor se Hifazat ho gayi aur Agar Apni Raay per Faisla Ho jaye to Khof aur zyada Duae'n Maa'ngi jaye,*

*❀. Hamare Yaha'n faisle Kï Buniyaad Kasrate Raay per nahi hai aur maamle mai har ek se Raay Lena bhi zaroori nahi hai , Dil Joi sabki zaroori hai,*

*❀• Ameer ko is Baat ka Yaqeen ho k in ahbaab Kï fikr aur mil beth kar bethne Kï Barkat se Allah Jalshanhu sahi Baat khol de'nge, Ameer apne aapko mashware ka mohtaaj samjhe ,Raay lene ke baad goro fikr se Jo munasib samajh mai aata ho Wo keh de , Baat is Tarah rakhe k kisi Kï Raay ka istakhfaaf na ho, Agar tabiyate mukhtalif ho to is baat per shoq aur ragbat ke Saath amaada kar le aur saathi Ameer Kï baat per ese Shoq se chale k unki hi Raay tay payi hai ,isi mai Tarbiyat hai,*
*__ Agar iske baad amalan esi shakl nazar aaye k hamari Raay hi zyada munasib thi fir bhi hargiz taana na diya jaye, Ya ishara bhi na kiya jaye ,isi mai khair hai ( Jo faisla ho chuka usme Jamne mai hi khair hai ) Jo Ameer ko taana de uske liye sakht Waieyd aayi hai,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
            *☞_ Hafte Waari ijtima,*

*❀↬• Jab muhallo Kï masajido mai hafto ke do Gasht ke zariye har ghar ek Aadmi teen chillo ke liye nikalne Kï awaaz lag rahi hogi,Taleem aur tasbihaat per ahbaab Jud rahe honge ,har Masjid se Teen Din Kï Jama'at nikaalne Kï koshishe ho rahi hongi to Shabe Juma ka ijtima sahi nahaj per hoga aur kaam ke badne Kï soorte banengi,*

*❀• Jumeraat Ko Asr ke waqt se mohallo Kï masjido ke ahbaab apni apni Jama'ato Kï soorat mai Bistar aur Khaana Saath le kar ijtima Kï Jagah ( Markaz ) pahu'nche,*

*❀• Mashware se ese ahbaab se Umooman Dawat ( Umoomi Baat ) dilwayi jaye Jo Mehnat ke maidaan mai ho aur Jinki tabiyat per kaam ke taqaze gaalib ho,*

*❀ • Bahut hi fikr ke Saath Tashkeel Kï jaye, Agar Awqaat vasool na ho to Raat ko bhi Mehnat Kï jaye, Ro Ro kar maanga jaye, Subeh ko Jama'ato Kï Tashkeel kar ke hidayaat de kar rawana kiya jaye,*

*❀. Teen Din Kï mohallo se taiyaar ho kar aayi hui Jama'ato ko umooman saat aath meal tak bheji jaye, Har Shabe Juma se Teen Chillo aur Chillo Kï Jama'ato ko nikalne ka rukh padna chahiye,*

*❀• Agar Shabe Juma mai khuda na khwasta Sab taqaze poore na ho sake to saare hafte apne mohallo mai fir iske liye koshish Kï jaye aur aainda Shabe Juma mai Mohallo se taqazo ke liye logo ko taiyaar kar ke laya jaye,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
  *☞_ Kaam Kï Nazakat aur Uska ilaaj ,,*

*❀↬• Bhai Dosto ! Ye kaam bahut naazuk hai, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ek mehnat farmayi ,us mehnat se Sare insaano Kï Saari zindgi ke kamane, khane ,byaah Shaadi, mail mulaqaat aur ibadaat mamlaat vagera ke tareeqo mai mukammal tabdiliya'n aaye, To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khud is mehnat ke kitne tareeqe batlaye honge ?*

*❀• Hume abhi ye kaam karna nahi aata aur na abhi haqeeqi Kaam Shuru hua hai , Kaam us Din shuru hoga ,Jab imaan v yaqeen ,Allah Kï muhabbat, Allah ka dhyaan, Akhirat Kï fikr, Allah ka khof v khashiyat, Zuhad v Taqwa se bhare hue log Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Aali akhlaaq se muzayyan ho kar Allah Kï raza ke jazbe se makhmoor ho kar Allah Kï Raah mai jaan dene ke shoq se khiche khiche firenge ,*

*❀ • Hazrar Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n :-*
*__Allah Raham kare Khalid Raziyallahu Anhu per, Uske Dil Kï tamanna sirf ye thi k Haq aur Haq wale chamak jaye aur Baatil aur Baatil wale MIT jaye aur koi tamanna hi nahi thi ,"*

*❀. Abhi Jo Hume kaam Kï barkate nazar aa rahi hai'n, Wo kaam shuru hone se Pehle Kï barkate hai'n, Jese Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï wiladat ke waqt se hi barkato ka zahoor shuru hua tha, Lekin asal kaam aur asal barkate 40 saal baad shuru hui ,*

*❀• Abhi to iske liye mehnat ho rahi hai k kaam karne wale taiyaar ho jaye, Allah jalshanhu kaam unse lenge aur hidayat felne ka zariya unko banayenge ,Jinki zindgi apni Dawat ke mutabiq badlegi,*
*__ Jinki zindgiyo mai tabdili na aayegi ,Allah jalshanhu unse apne Deen ka kaam nahi lenge , Ye Nabiyo ( Alaihissalam ) wala kaam hai,*     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
          *☞__Usool aur Sohbat,*

*❀↬• is kaam mai agar apne aapko usool seekhne ka mohtaaj na samjha gaya aur usoolo ke mutabiq kaam na hua to sakht fitno ka khatra hai ,*

*❀• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne jab baahar mulko mai kaam shuru karne ka iraada farmaya to pehle tamaam Sahaba Raziyallahu Anhum ko teen din tak targeeb Dï aur fir farmaya ,Jis tarz per yaha'n Kaam hua hai bilkul usi tarz per baahar jaa kar bhi kaam karna hai ,is kaam Kï Noiyat Yahi hai,*

*❀• Muqaam, Zubaan, Mashrat, Mausam vagera ke aitbaar se is kaam ke usool nahi badalte ,is kaam Kï Nahaj aur usoolo ko seekhne aur un per qayam rehne ke liye us fiza mai aana aur baar baar aate rehna intehaai zaroori hai, Jaha'n Hazrat Rehmatullahi Alayh ne jaan khapayi thi ,*

*❀_aur unke saath ikhtlaat bhi bahut zaroori hai, Jo is Jaddo Jahad mai Hazrat Rahmatullah ke saath they aur jab se ab tak is fiza ( Dawat mai ) mai aur kaam mai musalsal lage hue hai'n, uske bager kaam ka apne nahaj aur usoolo per qayam rehna bazaahir mumkin nahi ,*

*❀. Isliye Dawat ka kaam karne wale ahbaab ko esi fiza mai ahatmam se nobat ba nobat bhejte rahe ,,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_Naqsho ke bajaye Mujahida,*

*❀↬• Tamaam Ambiya Alaihissalam apne apne zamane mai kisi na kisi naqshe ke muqable per aaye aur bataya k kaamyabi ka is naqshe se bilkul talluq nahi hai, Kaamyabi ka talluq barahe raast Allah Jalshanh Kï zaate aali se hai,*

*❀• Agar Amal theek ho'nge, Allah Jalshanh chhote naqshe mai bhi kaamyab kar denge aur Amal kharaab honge Allah Jalshanh bade se bade naqshe ko tod kar nakaam kar ke dikhayenge,*

*❀• Kaamyab hone ke liye us naqshe mai Amal theek karo, Har Nabi ne Apne raa'ijul waqt naqshe ke muqable per mehnat Kï, Aur Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam tamaam Aksariyat, Hukumat, Maal, Zara'at aur San'at ke naqsho ke muqable per tashreef laye,*

*❀• Aapki mehnat un naqsho se nahi chali , Aapki mehnat mujahido aur qurbaniyo se chali hai , Baatil aish ke naqsho se failta hai aur Haq takleefe uthane se failta hai, Baatil mulko maal se chamakta hai to Haq Faqr v gurbat Kï Mashakkato mai chamakta hai,*

*❀. Hume is kaam ke zariye ummat mai mujahida aur Qurbani Kï istedaad paida karni hai , is kaam ke liye bahut bada khatra ye hai k usko naqsho ke taabe kar diya jaye, isse kaam Kï jaan nikal jayegi, is kaam Kï Hifazat is me hai k kaam karne wale is kaam ke liye tamaam mayassar naqsho ko bhi Qurban karte hue Mujahide wali Shaklo ko qayam rakhe aur kisi bhi soorat mai mujahide wali shaklo ko khatm na hone de,*

*❀• Gareebo mai apni mehnat ko badaya jaye , Paydal jama'ate chalayi jaye, Log aayenge k Hamara Paisa Deen ke kaam mai kharch kar lijiye , Fir naqsho Kï Qurbani deni hogi, Keh dijiye k Janab is kaam mai kharch karne ka sahi tareeqa v jazba sikhaya jata hai, Fir kharch ka mahal talash kar ke khud hi kharch kar dijiyega , Yaha'n to tareeqa seekh lijiye,*

*❀__ is kaam Kï taleem ke liye rivaaji tareeqo, akhbaar, ishtehaar, Press vagera aur Rivaaji alfaaz se bhi poora parhez Kï zarurat hai, Ye kaam saara gair rivaaji hai, Rivaaji tareeqo se Rivaaj ko taqwiyat pahunchegi is kaam ko nahi, is kaam Kï Shakle, Dawat, Gasht , Taleem, Tashkeel vagera hai'n, Maahware Kï zarurat ho to munasib sathiyo ko alag kar ke mashwara kar liya jaye , ESA na ho k mashwara karne walo ka kisi moqe per umoomi Amaal se jod na rahe,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_College Ke Talba (Students) mai Dawati Kaam*

*❀↬• College ke Talba mai is kaam ko uthaya jaye, Hostalo mai maqami Kaam ke liye Jama'ate banayi jaye , Ek Gasht hostal wale apne Hostal mai kare aur Hafte ka doosra Gasht baahar kisi mohalle mai ya doosre Hostal mai kare ,*

*❀• Qareeb ke Mohalle Kï jama'ate bhi Hostalo mai jaa kar Gasht kare ,*

*❀__Hostal wale ahbaab apni rozana Taleem aur Mahine ke teen Din Kï tarteeb bhi uthaaye ,,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_Masturaat mai Kaam Kï Noiyat,*

*❀↬• Masturaat mai kaam Kï nazakate aur bhi zyada hai'n, Jabki Be Pardgi ka ahatmal ho ,*

*❀• Aam ijtimaat mai Masturaat ko bilkul na laya jaye, Apne Apne Mohalle mai kisi Parde Daar Makaan mai qareeb qareeb ke makanaat se Aurate'n kisi roz jama ho kar Taleem kar liya kare,*

*❀___iski ibtida is tarah kare k Mard Jo Baat ijtemaat, Dawat, Taleem vagera se Sun kar jaye , Apne ghar walo ko sunaye, isse in Sha Allah thode arse mai zahan banna shuru ho jayega,*

*❀• Fir Mohalle mai Taleem shuru hone ke baad esa ho sakta hai k Saare Shehar Kï Masturaat ka hafte mai ek esi jagah ijtima ho jaha Parde ka ahatmam ho, Waha'n Taleem ke baad fir koi Aadmi Parde ke saath bayan kare , Kabhi kabhi ek yom teen yom ke liye qurbo jawaar ke liye jama'ate banayi jaye,*

*❀ • Masturaat Kï Jama'at ke saath unke khawind ho, Varna har Aurat ke saath uska Shara'i mahram saath ho , Parde ke saath jaye , Parde daar makaan mai thehre , Mard Masjid mai thehar kar kaam kare,*
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
              *☞__ Aakhri Baat_*

*❀↬• Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jin maqamaat se mehnat uthaayi thi Unhi maqamaat ke logo ko is mehnat per uthane aur unhe inhi Raasto se Allah Kï Raah ki Mulko wali naqal harkat ke zinda hone ka zariya ye Umre ka Safar ban sakta hai ,*

*❀• Har Jagah ke Purane kaam karne walo se ikhtilaat aur is kaam mai yakjahti paida hone aur Usoolo ke Tafseel se saamne aane ka ye behtreen moqa hai ,*

*❀• Ye Khat kuchh usool likhne Kï vajah se taveel ho gaya ,Aap Hazraat iske har juz aur har lafz ko gor se padhne Kï koshish farmayega to in Sha Allah bahut zyada nafe Kï tawaqqo hai ,*

*❀ • Aap hazraat apne Yaha ke halaat se har pandrahve roz ittela farma diya kare to Hume taqwiyat hoti rahe ,*

*❀. Tamaam ahbaab ko salaam madnoon _Faqat Wassalaam :- Banda Muhammad Yusuf,*

*💤 Ek Aham Maktoob- Hazrat Ji Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh. ( Taleef Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh.)*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
https://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻 Visit For All Posts _,*

                         ⚫☆⚫

Post a Comment

0 Comments