●• *ASHRA- E- ZILHIJJA* •●
╥────────────────────❥
*☞ _ Ashara Zil Hijja Ki Ahmiyat:-*
*⚀ _Is Duniya me Hamari Takhleeq Ka Maqsad Sirf Yahi hai k Hum ikhlaas Ke Saath, Shirk ki Gandgiyo se Apne Aapko Door rakh kar Allah Waahid ki ibaadat kare'n aur Apni poori Zindgi usi Ki Mansha Ke Mutabiq Guzare'n, Uske Ahkaam v Farameen per Poori Yaksui v Diljo'i ke Saath Amal pera ho'n,*
*"⚀_ Allah Rabbul izzat ka Fazal v Ahsaan hai k usne Hume Ek baar Fir Khair v Bhalai aur Nekiyo'n ka Ye Mausam inayat kiya Taki hum is Mahine se Zyada se Zyada Ajro Sawab Haasil kar Sake'n,*
*"⚀_ Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - poori Zindgi Khair v Bhalayi ke Talab karne Wale raho, aur Rehmate ilaahi ki atayaat v Barkaat ke (Husool Ke) liye Apne Aapko pesh Karo, Beshak Allah Ta'ala ke liye uski Rehmato ke khazane hai'n, Apne Bando me se Jise Chahta hai inayat karta hai, aur Allah Ta'ala se Sawal karo k Tumhare Sharmgaho ki Satar Poshi farmaye aur Khof v Hiraas ( Mayoosi) se Aman v Sukoon Naseeb farmaye _,"*
*®__(Al Sahih: 1890)*
*"⚀_ Chu'nki Hamari Zindgi badi Mukhtasar hai, iska Har Lamha aur Guzarne wala waqt bada hi Qeemti hai, isi Yu'n hi Zaaya aur barbaad kar Dena Gair Danishmandi hai, is Hayaat musta'ar ka Ek Azeem maqsad hai aur us Maqsad me Kamyaabi ke liye hume Sakht Zarurat hai k Huqooq v Fara'iz ki Adaaygi ke Saath Ese Ba Barkat Lamhaat ki qadar v manzilat ko pehchane, Yaqinan Zil Hijja ke ibtidayi Das Ayaam bade hi Ba Barkat hai'n, Jo Anqareeb hamare Saro per Saaya fagun hone wale hai'n _,"*
╥────────────────────❥
*☞_ Ashra Zilhijja Ki Fazilat v Ahmiyat*
*⚀ _ Jis Tarah Allah Ta’ala ne Hafte ke Saat Dino mai se "Juma" Ko aur Saal ke Barah Mahino mai se Ramzan Mubarak Ko Aur Fir Ramzan Ke Teen Ashro mai se Akheer Ashre ko Khaas Fazilat Bakhshi hai,*
*⚀ _Usi Tarah Zilhijja Ke Pehle Ashre Ko Bhi Fazal V Rahmat Ka Khaaa Ashra Qaraar diya hai aur isiliye Hajj bhi inhi Ayyam mai rakha gaya hai ,*
*⚀ _ Baharhal Ye Rahmate Khudawandi Ka Khaas Ashra hai ,In Dino mai Bande ka har Nek Amal Allah Ta’ala ko bahut Mehboob hai aur iski badi qeemat hai,*
*⚀ _ Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-*
*"_ Allah Ta’ala ko Amale Saleh Jitna in Das Dino mai Mehboob hai utna Kisi doosre Din mai nahi ,”*
*ReF-┐Sahih Bukhari,*
╥────────────────────❥
*☞ _Ashra Zilhijja Ki Hurmat :-*
*"⚀_ Zilhijja ka Mahina Hurmat Wale Mahino me se ek hai, irshade Baari Ta'ala hai, _"Mahino ki ginti Allah Ta'ala ke Nazdeek Kitabullah me Barah (12) ki hai, Usi Din se Jabse Aasmaan v Zameen ko usne paida kiya hai unme se Chaar Hurmat v Adab ke Hai'n Yahi Durust hai _," (At Tauba- 36)*
*"⚀_ Nabi Kareem ﷺ ka irshad hai:- Duniya ke Tamaam Dino me Sabse Afzal Zilhijja ke Das Ayyam hai'n_," (Jami'a Sageer)*
*"⚀_ Isiliye Salf Saleheen is Ashra me Mukhtalif qism ke ibadaat ka Khususi Ahatmam kiya karte they, Hazrar Saied bin Zuber Reh. Jab Zilhijja ka Ye Ashra aata to Apni Taaqat bhar Khoob khoob mehnat v Mujahida karte _," ( Sahi At Targeeb v Tarheeb)*
*"⚀_ Ashra Zilhijja ke A'amaal Allah Ta'ala ko Sabse Zyada mehboob aur Pasandida hai'n, Sayyadna Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu bayan farmate hai'n k Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Allah Ta'ala ke Nazdeek Tamaam Dino me kiye gaye Saleh A'amaal me Sabse Zyada Pasandida Amal Zilhijja ke ibtidayi Das Dino Ka Amal hai _," ( Sahih Bukhari-929, Abu Douwd -2438)*
*"⚀_ Ese hi Qurbani Ke Din ki Fazilat ko Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Allah Ta'ala ke Nazdeek Sabse Azeem Tareen Din Qurbani ka Din Hai Fir Qurbani Ke baad Gyarhvi Zilhijja ka Din hai _," ( Sunan Abi Da'oud )*
╥────────────────────❥
*☞ _ Ashra Zilhijja Ke Mustahab aur Pasandida A'amaal_,*
*"⚀_(1)_ Chaand dekhne Ke baad Nakhun aur Baal ka Hukm:-*
*"⚀_ Zilhijja Ka Chaand dekhne ke baad Qurbani Karne Tak Nakhun, Baal, Chamdi Vagera na Kaate jaye'n, Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Jab Tumme se Koi Zilhijja ka Chaand dekh le aur Qurbani Ka iraada ho to Apne Baal aur Nakhun na Kaate _," (Sahih Muslim-1977)*
*"⚀_ Aur Agar Koi Shakhs Qurbani ka iraada rakhne ke Bavjood bhool kar Ya La ilmi me Chaand dekhne ke baad Apne Baal ya Nakhun kaat le to us per koi kffara nahi hai, balki Esa Shakhs mazoor hai, Albatta jisne Amadan ( jaan boojh kar) ye kaam Kiya use Allah se Tauba v istagfaar karni Chahiye aur Uski Qurbani Sahi hogi, Albatta esa Shakhs Aasi v Nafarman hoga kyunki usne Ek Takeedi Sunnat ki Mukhalfat ki hai _,"*
*"⚀_ Qurbani Karne Wale Ke Ahlo Ayaal ke Liye Ashra Zilhijja me Rukhsat hai k wo Baal aur Nakhun vagera Kaat Sakte Hai'n, Mazkoora Hadees me Tehreem Ka Hum khaas hai us Shakhs ke Liye jo Apne Maal se Jaanwar khareed kar Qurbani ka iraada rakhta hai _, ( Fatwa Usmaniya- 2/316)*
*"⚀_ Albatta Jis Rivayat me Nabi Kareem ﷺ ne Qurbani na Karne Wale Ke liye bhi Nakhun aur Baal vagera na Kaatne Ki Hidayat di hai, Us Rivayat ko baaz Ulma ne Za'ief qaraar diya hai_, ( Za'ief Abu Douwd -482)*
*⚀ _ Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se Riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-*
*"_ Jab Zilhijja ka Pehla Ashra Shuru ho Jaye ( Yani Zilhijja ka chand dekh liya jaye ) aur Tumme se Kisi ka iraada qurbani ka ho to usko chahiye k ab qurbani Karne tak Apne Baal ya Nakhoon bilkul na tarashe,*
*ReF-┐Sahih Muslim,*
*⚀ _Darasal Ye Ashra Hajj ka hai aur in Ayyam mai khaas ul Khaaa Amal Hajj hai Lekin Hajj Makka Muazzama ja kar hi ho sakta hai ,isliye Umar mai sirf ek dafa aur Wo bhi Ahle isteta’at per farz kiya gaya hai, iski Khaaa barkaat wahi Bande haasil kar sakte hai’n Jo waha haazir ho kar Hajj kare ,*
*⚀ _Lekin Allah Ta’ala ne Apni Rehmat se Saare Ahle imaan ko iska moqa diya hai k Jab Hajj ke Ayyam aaye to Wo Jo Apni Apni jagah rehte hai’n, Hajj aur Hujjaaj se ek nisbat paida karte hue unke kuchh Amaal mai Shareek ho jaye ,Eidul Azha Kï Qurbani ka Khaas Raaz yahi hai,*
*⚀ _Hujjaaj Dasvi Zilhijja ko Meena mai Alaah ke Huzoor Apni Qurbani pesh karte hai’n ,Duniya bhar ke Musalman Jo Hajj mai Shareek nahi ho sake unko Hukm hai k Wo Apni Apni Jagah theek usi Din Allah ke Huzoor mai Apni Qurbani pesh kare aur Jis Tarah Haaji Ahraam baandhne ke baad Baal ya Nakhoon nahi tarashwate ,Usi tarah Wo musalman Jo Qurbani karne ka iraada rakhte hai’n , Zilhijja ka chaand nazar aane ke baad Baal ya Nakhoon na tarahe aur is tareeqe se bhi Hujjaaj se ek munasbat aur mushabhat paida kare,*
*⚀ _ Kis Qadar Mubarak hidayat hai Jis Per Amal Karke Tamaam musalman Hajj ke Anwaraat aur Barkaat mai hissa le sakte hai’n,*
*"⚀_(2)_ Hajj v Umrah Ki Adaaygi:-*
*"⚀_ Afzal Tareen Amal Ashra Zilhijja me Anjaam diye jane Wale A'amaal me Sabse Afzal Tareen Amal Manasike Hajj v Umrah ki Adaaygi hai, Ye Wo Azeem Tareen ibaadat hai Jiska Badla Jannat hai, Jesa k Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - Ek Umrah Doosre Umrah Ke Darmiyan Gunaho Ka Kaffara hai aur Hajj Mabroor ka badla Jannat hai _, ( Sahih Bukhari -1773)*
*"⚀_ (3)_ Namazo Ka Ahatmam:-*
*"⚀_ Namaz Ek Aham Tareen Fariza hai Jiski Adaaygi Har Shakhs per Hamesha aur Har Jagah rehte hue Waajib hai, Magar Jab khair v Barkat ke Ayyam ho'n to Fara'iz ke Saath Sunan v Nawafil ka Khaas Ahatmam kiya jana Chahiye, Ye Allah Ta'ala ki Qurbat v Nazdeeki ke Husool ka Behatreen Zariya hai,*
*"⚀_ Hadees Qudsi me Allah Ta'ala farmata hai:- Mera Banda Jis Amal ke Zariye Mera Qurb haasil karta hai usme Sabse Pasandida Cheez wo hai jo Maine us Per Farz kiya hai aur Mera Banda barabar Nawafil ke Zariye Mera Qurb haasil karta hai Yaha'n Tak k Mai'n usse Muhabbat karne Lagta hu'n _, ( Sahih Bukhari -6502)*
*"⚀_ Isi Tarah Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Maine Rasulullah ﷺ ko farmate hue Suna - Tum Kasrate Sujood ko Laazim pakdo Tum Allah ke liye jo bhi Sajda Karte ho Allah Ta'ala uske Zariye Tumhara Ek darja buland farma deta hai aur Tumhara ek Gunaah Mita deta hai _, ( Sahih Muslim - 488)*
*"⚀ _ (4)_ Roza Rakhna:-*
*"⚀ _ Sayyada binte Khaalid Rasulallah ﷺ ki baaz Azwaaj Mutahraat se Rivayat karti hai'n k Nabi Kareem ﷺ Zil Hijja ke ibtidayi 9 Din ka Roza rakhte aur Yaume Ashura ( Dasvi Muharram) aur Har Mahine ke Teen Din Roza rakhte they _," ( Sunan Abi Da'oud -2437)*
*"⚀ _ Imaam Navvi Reh. Farmate hai'n:-"_ is Ashre me Roza rakhna intehayi Pasandida aur Mustahab Tareen Amal hai, Khaas Tor per 9 Zilhijja ka Roza aur Yahi Arfa ka Din hai _," (Sharah Navvi - 8/71)*
*"⚀ _ 9 Zilhijja jis Din Hujjaaj Kiraam Maidane Arfa me Waqoof karte hai'n, Haaji aur Gair Haaji Sabke Liye badi Fazilat wala Din hai, Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - Behatreen Dua Arfa ke Din ki jane wali Dua hai, Sabse behtar Dua Jo Mai'n aur Mujhse Pehle Ambiya Kiraam ne ki hai, "La ilaaha illallahu wahdahu La Shareeka Lahu Lahul Mulku waLahul Hamdu wa huwa Alaa Kulli Shayin Qadeer _, ( Sunan Tirmizi- 3585)*
*"⚀ __ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Rasulullah ﷺ ne farmaya k Yaume Arafa ke Din Allah Apne Jitne Zyada Bando ko Jahannam se Azaad karta hai, Utna kisi aur Din nahi Karta aur is Din Allah Apne Bando Se Qareeb hota hai aur Farishto per Fakhr karta hai aur Kehta mere in Bando Ka Kya iraada hai _, ( Muslim - 1348)*
*⚀_ (5)_Arafa Ke Din Ka Roza:-*
*"⚀_ Arafa Ke Din Ka Roza Gair Haaji Ke Liye Apne Gharo aur Bastiyo'y me badi Fazilat aur Ajro Sawab wala Amal hai, Nabi Kareem ﷺ se Yaume Arafa Ke Roze Ke bare me puchha gaya to Aap ﷺ ne farmaya: Ek Saal pehle aur Ek Saal baad Ke Gunaho'n ka Kaffara ban Jata hai _, (Sahih Muslim-1162)*
*"⚀_ Lihaza Har Musalman Mard v Aurat ko is Fazilat Ko Haasil Karne Ki Koshish Karni Chahiye aur Ye bhi Khayal rahe k is Masle me K Hamare Apne Mulk ke Tulu Aaftaab ka Aitbaar kiya jayega, Jis Din Hamare Yaha'n 9 Zilhijja ki Tareekh hogi hamara Yaume Arafa usi Din hoga, Saudi Ke Hisaab ke Aitbaar se Waha'n ki Tareekh Ke Hisaab se Yaume Arafa ka Roza rakhna Sahi daleel Ki Roshni me Munasib maloom nahi hota, wallahu Aalam _,"*
*"⚀_ Albatta Hujjaaj Kiraam ke Liye Arafa ke Din ka Roza rakhna Saabit nahi, Sayyada Maimuna Raziyallahu Anha farmati hai'n: Arafa Ke Din Logo'n Ko Nabi Kareem ﷺ ke Roze se Mutalliq Shak hua, isliye Unhone Aap ﷺ ki khidmat me Doodh bheja, Aap ﷺ us Waqt Arfaat me Waqoof farma they, Aapne Wo Doodh pi liya aur Sab Log dekh rahe they _," ( Sahih Bukhari -1989)*
╥────────────────────❥
*☞_Zikr v Azkaar:-*
*"⚀_ Poora Ashra Zilhijja ma'y Ayyame Tashreeq Kasrat Ke Saath Allah Ta'ala ka Zikr, uski Tasbeeh v Tahmeed, Tehleel v Takbeer bayan karni Chahiye, Allah Ta'ala ka irshad hai:-*
*"_ ( Tarjuma)_Ginti Ke Chand Dino me Allah ka Zikr karo _," (Al Baqrah - 203)*
*"⚀_Jiski Tafseer me Ulma ne farmaya hai k isse muraad Ayaam Ashra Zilhijja hai'n,*
*"⚀_ Imaam Sevti Reh. is Aayat ki Tafseer karte hue likhte hai'n ( Tafseer Jalalain: Surah Al-Haj 28):-*
*"_ Isse Ashra Zilhijja ya Yaume Arafa ya Qurbani ka Din aur Ayyame Tashreeq muraad hai _,"*
*"_ Is Aayat ke bare me Imaam Bukhari reh. Likhte hai'n - isse Muraad Zil Hijja ke das ( ibtidayi) Ayyam hai'n aur Doosri Aayat me Al ma'adudaat, se muraad Ayyame Tashreeq, Qurbani ka Din aur iske baad ke Teen Din muraad hai'n*
*"⚀_ Aur Sayyadna Abdullah bin Umar, Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhum Zil Hijja ke das Dino me Bazaar nikal jate, Ye Dono Takbeer buland karte aur unke Saath doosre Log bhi Takbeer kehte _," (Sahih Bukhari, Baab Fazalul Amal fi Ayyamul Tashreeq)*
*⚀_ Isliye Ulma ne in Dino me kasrat se Zikr karne ko Mustahab bataya hai, ise kisi waqt ya kisi Shakhs ya kisi haiyat v Kaifiyat ke saath khaas karna durust nahi hai, aur Sunnat yahi hai k har Aadmi Tanha Takbeer kahe, Samra bin Jundub Raziyallahu Anhu se marvi hai Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - Allah Ta'ala ke Nazdeek mehboob Tareen Kalmaat chaar Hai'n: Subhanallah, Alhamdulillah, La ilaaha illallah, Allahu Akbar aur in Tasbihaat ke kehne me tum kisi bhi kalme se Shuru kar Sakte ho _," (Sahih Muslim -2173)*
*"⚀_ Dar Asal Ek Musalman Mard v Aurat ke liye Allah Ta'ala ki Azmat v Badayi ka Aitraaf aur uski Haiyat v Ajlaal ka Haqeeqi Tasavvur Allah Ta'ala ki Nafarmani, uske Muharam se ijtinaab karne aur ibaadat v Bandgi, ita'at v Farmabardari ki Raah me nuqta Aitdaal per qaa'im rakhne ka Behatreen Zariya hai, Allah Ta'ala hum sabko Fara'iz v ibadaat per isteqamat Naseeb farmaye, Aameen,*
╥────────────────────❥
*☞__TAKBEER E TASHREEQ_*
*⚀ _→Huzur e Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Na Koi din Allah ta’ala ke nazdeek is Ashra Zilhijja se AfzaL hai, Na kisi din me AmaL karna inme AmaL karne se AfzaL hai, pas tum in dino me khususiyat se LAILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBAR ki kasrat rakho Kyunki ye din Takbeer aur TahLeeL ke hain,*
*⚀ _→Fayda:- Yu’n to is tamaam Ashre me Yani Zilhijja ke Pehle Ashre me Takbeer v tahLeeL ki zyaadti pasandida hai Jesa k is Riwayat se maloom hua, Lekin 9 vi Tareekh ki fajar se 13 vi ki Asar tak har namaz ke baad Buland Awaaz se Ek martaba Takbeer kehna Zaroori hai, Jesa k Aasarus’sunan me ibne Abi Sheba ke hawaLe se Hazrat Ali kar’ramaLLahu wajha ka MamooL marvi hai,*
*⚀→Behqi ne Hazrat Jabir bin AbduLLah Raziyallahu Anhu se Riwayat ki hai k AanHazrat Sallallahu Alaihivasallam Arfe ke din navvi Zilhijja ki fajar ki Namaz se Aakhir Ayyam Tashreeq yani 13 Zilhijja ki Asar tak Takbeer padha karte the,*
*⚀ →9 vi Tareekh ki subeh se 13 vi tareekh ki Asar tak har namaz ke baad ba’Aawaz buland Ek martaba mazkura Takbeer kehna wajib hai, fatwa is par hai k bajama’at or tanha namaz padhne waLe isme barabar hai’n, isi tarah mard Aurat dono par wajib hai, Albatta Aurat ba’Aawaz buland Takbeer na kahe Aahista se kahe,*
*_ Ref_$_Shami_*
*☞→ TAKBEERE TASHREEQ_,*
*■←اَللهُ أَكْبَرْ اَللهُ أَكْبَرْ.لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ وَاللهُ أَكْبَرْ. اَللهُ أَكْبَرُ وَللهِ الْحَمْد _,*
*☞→EID’DUL AZHA KE DIN MAZKOORA ZEL UMOOR MASNOON HAIN,*
【01】 Subeh savere uthna
【02】 GusL aur miswaak karna
【03】 Paak saaf Umda kapde Jo apne pass Ho’n pehanna
【04】 khushbu Lagana
【05】 Namaz se pehle kuch na khana
【06】 Eidgaah ko jate hue Raste me ba’Aawaz buland Takbeer kehna,*
*★_ Alhamdulillah Mukammal___*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
*✍ Haqq Ka Daayi ,*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻👆🏻Visit for Daily updates,*
https://chat.whatsapp.com/DAloyOp8VLHBqfy4b0xcnE
*👆🏻 What's app Per Mukammal Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*👆🏻 What's app Per Sirf Roman Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
◐
0 Comments