┯━══◑━═━┉─◑━═━━══┯
*●• GHARELU JHAGDO SE NIJAAT •●*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Hamari Ma'ashrati Zindgi:-*
*★_ insaan Fitri Tor per mil Jul kar rehne Ka Aadi hai, Allah Rabbul izzat ne use Sochne Ke Liye Dimaag diya, Mehsoos karne Ke Dil ata kiya, To ye Jazbaat, Ahsasaat rakhne Wala insaan Akela Zindgi Nahi guzaar Sakta, Ye kaise Mumkin hai k Maa'n Khud to kha le Jabki Uska Bachcha uski Aankho ke Saamne Bhook se Tadapta rahe, Ye kaise Ho Sakta hai k Beti Bimaar ho aur Baap uske ilaaj mualij ke Liye Tavajjo hi na de, isiliye insaan Ek Ma'ashre me rehna pasand karta hai, isko Gharelu Zindgi Kehte hai'n _,*
*★_ Ek insaan Ke Bivi Bachche, Ye Sab mil kar Ek Gharana bante hai'n, Fir Ka'i Gharane mil kar Ek Khandaan banta hai, Ka'i Khandaan mil kar Ek Ma'ashra banta hai, Shehar Abaad hote hai'n, Mulk Abaad hote hai'n, isi Tarah Aaj Duniya Abaad hai to is Tarah mil Jul kar rehne ko Ma'ashrati Zindgi kehte hai'n _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Fasaad Allah Ta'ala ko Napasand hai :-*
*★_ Lekin isme Ek Cheez dekhi gayi hai k Jis Tarah Bartan ikatthe rehe to Khatakte hai'n, insaan Jab mil jul kar rehte Hai'n to Basa Awqaat Ek Doosre Ke Saath Ranjishe ho jati hai'n, Kabhi insaan Over Expect ( Zyada Tawaqqo) kar leta hai, Doosra Banda Usko poora nahi kar sakta to is per Ranjish ho jati hai, Kabhi Doosre Ke kisi Behaviour (Ravayye) ki vajah se insaan ka Dil Tootta hai, To kisi na kisi Tarah Aapas me uljhaav rehta hai, Shaitaan is Soorate Haal se fayda uthata hai aur Fir Dillo'n ke Andar ek Doosre ke Khilaaf Nafrate aur Qudurate paida hoti hai'n,*
*★_ Kabhi To Aapas me Sard Jung Shuru ho jati hai aur Kabhi Garm Jung Shuru ho jati hai, iska Naam Fasaad hai, aur Qur'an Majeed me aaya hai k:-*
*"_ (وَاللَّهُ لَا يُحِبُّ الْفَسَادَ)*
*"_k Allah Rabbul izzat Fasaad ko Pasand nahi Karte,*
*★_ Aaj Fasaad Aam hai :- Aaj Konsa Ghar hai Jaha'n Aapas me Ek Doosre ke Saath Ranjishe na ho'n, Kahi'n Bhai Behan me Ranjishe, Kahi'n Aulaad aur Maa'n Baap Ke Darmiyan Ranjishe, Kahi'n Aapas me Miya'n Bivi ke darmiyan Ladkiya'n, Kahi'n Saas Bahu ke Jhagde aur Kahi'n per Padosi aur Padosi ke Jhagde aur Daftaro ke Halaat to batane ke Qabil hi nahi,*
*★_ Jaha'n Chand Bande mil kar kaam karte hai'n, Ek Doosre Ke Saath Hasad ki inteha hoti hai, Professional jealousy ( Peshawarana Hasad ) is Qadar hoti hai Jisko Allah izzat deta hai, badhata hai, Doosre mil kar uski Taa'nge kheechte hai'n, Daftaro ka Zyadatar waqt Ek Doosre ke Khilaaf Planning karne me, Ek Doosre ko Nicha dikhane me aur Ek Doosre ko Ruswa Karne me Ya Geebat karne me guzar jata hai, Ek Musalman Ma'ashre me ye Cheeze intehayi Napasandida hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bachcho Ke Jhagde - Bachche Kachche Hote hai'n:-*
*★_ Ek Buniyadi Baat ye hai k Bachche Kachche Hote Hai'n, Unke Dimaag Abhi Pukhta nahi hote, Unka Koi Tajurba nahi hota, Chhoti Umr hoti hai to Apne Kachche Zehan ki Vajah se Bachcho Wali Baate Karte hai'n, To Bachche se Bachcho Wali Baato ki hi Tawaqqo rakhni Chahiye, Lihaza Maao'n aur Behno Ko Chahiye k Bachche se Bado Wali Baato ki Tawaqqo mat kare'n,*
*★_ Bachcha Jab Bachpan Ki Umr me hai, Zehan Kachcha hai, Tajurbe nahi hai, To Wo Bachkani Baate aur Harkate to Karega, Lihaza Expectation (Tawaqqoat) ka Level bhi usi Tarah rakhna Chahiye, Bachpan to Bachpan hi hota hai, Bade Bade Auliya Ka Bachpan bhi isi Tarah guzra k Unhone Bachpan me Ese hi Bachkana Fitrat Wale Kachche kaam kiye Jo Aam tor per Bachche karte hai'n,*
*★_ Nabi Kareem ﷺ ke Bachpan Ka Ek Waqia:- Nabi Kareem ﷺ ke Bachpan ke Waqiaat Mo'arkheen ne bahut Thode likhe hai'n, Seerat Ki Kitaabo me Aapki Jawani ke Waqiaat dekhe'n to wo Agar 99 fisad hai'n to Bachpan Ke Waqiaat Ek fisad bhi nahi milte, Vajah ye hai k koi jaanta bhi nahi tha k Ye Bachcha Jo Aaj God me pal raha hai, isne Bade ho kar Poori Duniya Ka Moallim Banna hai aur Allah Rabbul izzat ka mehboob hona hai, isliye Bachpan Ke Waqiaat Kitaabo me itne zyada nahi Qalamband kiye gaye, Chand Ek Waqiaat hai'n Jinme se Kuchh Waqiaat to Nabi Kareem ﷺ ne khud hi batla diye,*
*★_ Aam tor per Bachche Ki Aadat hoti hai k Uske Jab Daa'nt nikal rahe ho'n to koi cheez bhi uske Moo'nh me dalo to wo usko Kaatta hai, Aap Ungli de'n to Ungli Ko Kaatega, Apni Hatheli de'n to Hatheli ko Kaatega, Ye Bachche Ki Fitrat hai, Galiban Esi hi Umr hogi k Ek Martaba Aap ﷺ ki Raza'i Behan Shima ne Aapko uthaya aur Aapko Kandhe se lagaya to Nabi Kareem ﷺ ne Kandhe per Dandane Mubarak se Kaata, Ye itna Zyada tha k uske Nishan pad gaye,*
*★_ Allah ki Shaan dekhe'n k Ye Nishan unke raha, Ek martaba Kisi Gazwa me unke Qabile ke Logo'n ko Giraftaar kar ke laya gaya, Shima us Waqt Budhi ho chuki thi, Wo Nabi Kareem ﷺ ki Khidmat me aayi'n aur unhone aa kar bataya k Mai'n Aapki Behan hu'n, Nabi Kareem ﷺ ne farmaya k Mai'n to Apne Baap ka Ek hi Beta hu'n, Aap meri Behan kaise ? Unhone bataya k Mai'n Halima ki Beti Aapki Raza'i Behan hu'n,*
*★_ Nishan ke Tor per unhone kaha k Ek Martaba Maine Aapko uthaya hua tha to Aapne mujhe kaata tha aur mere Jism per Wo Nishan Aaj bhi mojood hai, Nabi Kareem ﷺ ne us Nishan ko dekha to Aapko bhi Yaad aa gaya k Haa'n Bachpan me Esa maamla pesh aaya tha, uske baad Nabi Kareem ﷺ ne Apni Chaadar bichhayi aur Apni Behan Ko us Chaadar per bithaya,*
*"_ Dekhiye k Aap ﷺ Mustaqbil Ke Moallim E insaniyat they lekin Aap ﷺ se bhi Bachpan me Bachkana Fitrat Ka izhaar Ho Raha hai, isliye Walden ko Chahiye k Bachcho se Bachpan Wali Baato Ki hi Tawaqqo rakhe'n k Bachpan ki Umr hai, Zehan Kachcha hai, Tajurba Nahi hai, To wo is qism ki Baate aur Harkate karega, na kare to use Bachcha Kon kahega,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bachcha Ya Budha :-*
*★_ Hazrat Mirza Mazhar Jaan Jaana'n ne Ek Martaba Hazrat Shah Gulam Ali Dehalvi se farmaya- Gulam Ali kisi Bachche ko Hamare Paas le aana, Hazrat Shah Sahab Apne Ghar Gaye aur Bachche ko Hazrat Ki khidmat me lane ke liye Tayyar kiya, Kaafi der use Samjhate rahe k Hazrat Ki Khidmat me Ese bethna aur Ese karna, Ese na karna, Bachcha Jab Achchhi Tarah Maamla Samajh gaya to Agle Din Hazrat Shah Sahab use Hazrat ki khidmat me laye,*
*★_ Bachche ne Salam kiya aur Adab se Ek Taraf Beth Gaya, Kuchh der guzri to Hazrat ne farmaya, "Gulam Ali Humne to kaha tha k kisi Bachche ko Hamare Paas le aana_," Hazrat Shah Sahab ne arz kiya - Hazrat Bachche hi ko to le aaya hu'n, Hazrat ne farmaya - "Ye koi Bachcha hai Ye to Budha Maloom hota hai _,*
*★_ Yani Bachcha to us Waqt Achchha lagta hai Jab Bachcho Wali Baate kare, uchhal Kood kare, Aapne to Bachche ko Budha bana kar bitha diya, Wo lagta hi nahi k Bachcha hai _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Shekh Saadi Reh. ke Bachpan Ka Waqia:-*
*★_ Dekhiye ! Hazrat Shekh Saadi Reh. Apni Baat khud batlate hai'n, Farmate hai'n k Mujhe meri Walida ne Sone ki Anguthi Pehna di, Mai'n Wo Anguthi pehan kar bahar gali me nikla to Ek thag mil gaya, Us Thag ke Paas gud ki Dali thi, usne Mujhe utha kar pyaar kiya aur Mujhe kehne laga k Tum Apni Anguthi ko chakho ! Maine Anguthi ko Zubaan se lagaya to be zayqa thi, Fir uske baad usne Gud ki Dali di k isko chakho ! Jab Maine Gud ko Chakha to bada Mazedar tha, Kehne laga k Mazedar cheez le lo aur be maza cheez de do,*
*★_ Kehne lage k Mujhe Gud ka itna maza aaya k maine use Anguthi utaar kar de di aur Gud ki Dali le kar ghar waapas aa gaya, Ab Bachche they Kachche they, Gud ki Dali ke badle Sone ki Anguthi de kar aa gaye, To is Umr me insaan Galtiya'n bhi karta hai aur Seekhta bhi hai_,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bachche Ghar Ke Mahol ke Mutabiq Khelte hai'n:-*
*★_ Bachche Jo Kuchh Khelte hai'n to Wo bhi Apne Ghar Ke Mahol Ke Mutabiq hi Khelte hai'n, Wo Apne Bado ko jo Karte dekhte hai'n Fir Wohi unka Khel ban jata hai, isliye Har Ghar Ka Bachcha Apne Ghar Walo ke Mahol aur Mizaaj ke Mutabiq dhalta hai, Maulana Talha Reh. Khud ek martaba farmane lage k Mai'n Chhota sa tha, Gali me betha hua tha aur Ek Bachche Ko Bayt kar raha tha, isliye k Maine apne Waalid ko Bayt karte dekha tha,*
*★_ Ab Mai'n Chhota sa aur Ek Bachche Ko Bayt ke Kalmaat padha Raha tha, Uske Haath Apne Haath me liye hue they, Allah ki Shaan k Udhar se Hazrat Madni Reh. Tashreeh le aaye, Unhone mujhe dekha to Chu'nki Shafqat bahut thi, Shekhul Hadees Ke Saath bahut Zyada gehra Talluq tha, Mujhe dekha to Wo kehne lage k Sahabzade Sahab ! Hume bhi Bayt kar lo, Kehne lage Maine kaha- Aaiye Beth jaye'n! Mujhe kya pata tha k ye bade Miya'n kon hai'n? To maine Hazrat Madni Reh. Ke Haath Apne Haath me pakde aur maine kuchh Kalmaat padh kar kaha k Achchha maine Aapko Bayt kar liya_,*
*"_ To dekho ! Bachcha hai Lekin Wo Hazrat Madni Reh. Ko Bayt kar raha hai, Bachche is Tarah Ke kaam Karte hai'n,*
*★_ Maulana Azaad Reh. Farmate hai'n k Mai'n Chhota sa tha to Ghar me Waalid Sahab ka Amama pada hota tha, Mai'n Kya karta ! Apni Behno ko ikattha kar leta aur Apne Sar pe Amama rakhta aur Badi Shaan se chalta aur Mai'n Behno ko kehta - Hato Raasta do, Dehli ke Maulana aa rahe hai'n, isliye k Bachpan me maine Suna hua tha k Dehli me koi bade Maulana rehte hai'n, aur fir Mai'n Apni Behno ko kehta k Tum log Mera istaqbal karo aur istaqbal me Tum Naare lagao ! Ab Behne kehti k Hum Kyu naare lagaye ? Isliye k Maulana jo aa rahe hai'n, To wo kehti k Nahi Maulana ke istaqbal ke liye to Hazaaro Log hote hai'n, hum to do hai'n, to Wo Kehte k Nahi Tum yunhi Samajh lo k Tum Hazaaro ho aur mera istaqbal kar rahe ho, Lihaza tum naare lagao !*
*"_ Ab Chhota sa Bachcha ! Dekho ! Apni Behno ke Saath kis Tarah khel rahe hai'n _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Chhote Bachcho Ki Samajh Chhoti hoti hai:-*
*★_ Kehne lage k Mai'n Chhota tha to Ek Din Ammi Abbu Aapas me bethe baat kar rahe they to kisi ne kaha k Qayamat Ka Din hoga, Bahut Garmi hogi aur Suraj to Sawa neze pe hoga aur Pasina hoga aur Bahut Mushkil hogi, To Saari Baate Sun kar Mai'n Ha'ns pada, to Ammi ne kaha k Bete Ha'ns kyu rahe ho ? To Maine kaha-Ammi jab itni zyada garmi hogi to Mai'n Garmi se bachne ke liye kamre me chala jaunga, to kehne lage - Saare Ghar Wale ha'nsne lage_,*
*★_ Ab Hashr ki Garmi ka Tazkira aur Bachche ka Haal dekho k keh raha hai k Ammi us Garmi se bachne ke liye Mai'n us Din kamre me chala jaunga, To Bachche ki itni hi soch hoti hai aur itna hi uska Maamla hota hai,*
*★_ Chuna'che Hazrat Maulana Khaleel Ahmad Saharanpuri Reh. Ke ghar me Ek Khadima kaam karti thi aur us Khadima ka naam Rehmati tha, Wo Qareeb hi rehti thi, Usne Ek Bakri bhi paali hui thi, Chuna'che us Bakri ne Ek Bachcha diya, Maulana Yusuf Reh. ( Jo Hazrat Maulana Ilyas reh. Ke Sahabzade they aur Janasheen they ) Bachpan ki Umr me they aur Wo Hazrat Maulana Khaleel Ahmad Saharanpuri Reh. Ke Yaha'n aaya jaya karte they,*
*★_ Farmate hai'n k Mai'n Jab Waha'n jata tha to mujhe wo Bakri ka Chhota sa Bachcha bahut achchha lagta tha, to Mai'n Aksar us Bakri ke Bachche ke Saath khelta tha, to Ek dafa kya hua k Log Aapas me Hajj ki baate kar rahe they k Humne Hajj pe jana hai, Mai'n Unki Baate Sunta raha Sunta raha, to Aakhir me fir maine kaha k Haa'n Mai'n bhi Hajj pe jaunga, to kisi ne puchh liya k kese Hajj per jaoge ? Maine kaha k Rehmati ki Bakri ka jo Chhota Bachcha hai Mai'n uski Peeth per Sawaar ho kar Hajj ke Liye jaunga _,*
*★_ Ab dekho ! Chhota sa Bachcha Bachpan ki Umr me ye jawab de raha hai k Mai'n Bakri ke Bachche ki Peeth per beth kar Hajj karunga, kehne lage - Ye baat Esi Mash'hoor hui k Maulana Khaleelur Rahman Saharanpuri Reh. Jab bhi kabhi mujhe milte to mujhe dekh kar kehte, Haa'n Sunao Bachche ! Tum Hajj per kaise jaoge aur Mai'n Aage se keh deta k Bakri ke Bachche ki Peeth per beth kar Hajj karunga, to Hazrat Muskuraya karte they,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Zimmedarana Tarze Amal:-*
*★_ Kuchh Bachche Ese Hote Hai'n k Jinme Shuru se hi Ahsase Zimmedari hota hai aur Ladakpan me hi wo Bade Zimmedar ban kar rehte hain, Jese Hazrat Mufti Kifayatullah Reh. Farmate hai'n k Bachpan me mere Ghar ke Halaat Gareebi Ke they, Magar maine kisi se Topiya'n banana Seekh liya tha, Jese Aurte'n Qureshiye ke Saath Beth kar Mukhtalif Cheeze banati rehti hai'n, Kehne lage k Bas Mai'n bhi isi Tarah Beth kar Topiya'n banata rehta tha, Hattaki Ka'i martaba Ustaad Class me padha Raha hota tha aur Mai'n pichhe betha hota tha, Sabaq bhi Sun raha hota tha aur Saath hi Topi bhi bana raha hota tha, Magar Allah ne Zehan esa diya tha k Saath Wale Bachche Agar Koi cheez nahi Samajh Sakte they to Mai'n Topi banana chhod kar Unko Wo baat suna deta tha, To wo hairaan hote they k Tum Topiya'n banate hue Ustaad ka Dars Sunte ho aur itna tumhe Yaad hota hai,*
*★_ Farmate k Mai'n is Tarah Time bacha kar Topiya'n banata, Unko bechta aur usse Jo Mujhe thode se paise milte usse Mai'n Apne Madarse ka Kharcha chalaya karta tha, To Baaz Bachche Ese bhi hote hai'n k Bachpan me unko Allah Rabbul izzat Ahsase Zimmedari de deta hai_,*
*★_ Khud Hazrat Mufti Shafi Sahab Reh. Farmate hai'n k Mai'n apni Basti se jab Darul Uloom me padhne ke liye aata to Sardiyo'n ki Raato me imtihano ke Qareeb zara der tak padhna Hota tha, Tayyari Karni hoti thi, Jab Mai'n Waapas lot ke aata to Ghar ke Saare Log soye hue hote they, Ammi uthti aur us Waqt mujhe khana garam kar ke deti to Mai'n Ammi ki Mannat Samajat karta k Aap Kyu Sardiyo'n me utthi hai'n? Bas Aap khana rakh diya Kare'n, Mai'n khud hi aa kar kha liya karunga, Badi mushkil se Ammi ko maine manaya,*
*★_ Farmate hai'n k Mai'n Jab aata to Saalan jama hua hota, Mai'n uske Ouper se jami hui teh hata diya karta tha aur Thanda khana kha kar guzara kar leta, Lekin Mai'n Apni Taleem me Harj nahi aane deta tha,*
*★_ Ab dekho ! Jin Bachcho ke Andar Bachpan Ladakpan se Yu'n ilm ka Shagaf ho, Shoq ho, Talab ho, Ahsase Zimmedari ho aur wo ilm ki khatir is Tarah Apni zarurato ko bhi qurban kare'n, Ye wo Bachche hote hai'n Jo Apni Jawani me Aasmane ilm per Sitare ban kar chamka karte hai'n _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Achchhi Dosti Ke Asraat _,*
*★_ Bachpan me Bachche ka Zehan Kachcha hota hai, Maa'n Baap ko ye chahiye k wo is baat per bahut zyada Tavajjo de'n k wo Kinke saath khel raha hai, isliye k Dost se wo itna kuchh Seekhta hai k Jitna Maa'n Baap se nahi Seekhta, Bachchi hai to Saheli se Seekhegi, Bachcha hai to Apne Dost se Seekhega,*
*★_ isliye Maulana Yahya Reh. Farmate they k Agar Bachcha Bilkul kund zehan ho lekin Dost uska Nek ho to us Bachche ki Kashti kabhi na kabhi kinare lag jayegi, aur Bachcha Kitna hi Zaheen kyu na ho, Agar Dost uska Bura ho to kabhi na kabhi uski Kashti beech dariya me Doob jayegi,*
*★_ Chuna'che Unhone Hazrat Shekhul Hadees Reh. Ki kitni Achchhi Tarbiyat ki k unke Bete Fir Apne Waqt ke Shekhul Hadees bane aur Allah Rabbul izzat ne unko kya qubuliyate Aamma ata farmayi,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Zid Ka ilaaj Kaise Kiya ?*
*★_ Maa'n Baap Ko Maloom hona chahiye k Bachche ko is Umr me deal kaise karna hai, Hazrat Mufti Rasheed Ahmad Gangoi Reh. Farmate hai'n k Ek Martaba Walida ne Doodh diya hum Do Bhaiyo'n ko, Mera Bada Bhai tha aur Mai'n tha, to Mai'n Zid karne laga k Pehle Mai'n piyunga, Chu'nki Walida ne Gilaas Bhai ke Haath me diya tha isliye Bhai ne kaha k Nahi Pehle Mai'n hi piyunga, Ab Mai'n Jitna ro raha hu'n zid kar raha hu'n, Bhai kehta hai Hargiz nahi Mai'n pehle piyunga,*
*★_ Kehne lage k jab Zyada Roya dhoya aur udham machaya to Bhai ne Gusse me aa kar Apna bhi Doodh pi liya aur mere Hisse ka bhi Doodh pi liya aur Khali Gilaas Ek Taraf ko rakh diya k Ab Tumhe Doodh milna hi nahi, Farmate hai'n k Esa ye Waqia mere zehan per Naqsh hua k uske baad poori Zindgi Maine kabhi bhi zid na ki, Ye Sochte hue k Zid karne se to insaan Apne Hisse se bhi Mehroom ho jaya karta hai, To Ek Sabaq Seekha unhone us Bachpan ki Zindgi me,*
*★_ Haa'n ! Bachcho ke Jhagde me ye baat Samjhe'n k Jhagde Hone ke Teen Steps hote hai'n, Pehla Qadam ye hota hai k koi cheez Bachche ko pasand nahi aati wo use Napasand hoti hai, Fir Doosra Qadam hota hai k us Napasandida cheez ya baat per usko Narazgi ho jati hai aur Narazgi ke baad Teesra Qadam fir jhagda banta hai, Yani jhagda Ek dam nahi ho jata balki jhagde se pehle Do Step hote hai'n _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Rote Bachche Ko Kaise Deal Kare'n:-*
*★_ Maa'no Ki Khidmat me Guzarish hai k Khelne Wale Chhoti Umr Ke Bachche Jab Kisi Baat per Rona Shuru Kar de'n to Aap Foran Taish me mat aa jaye'n, Bachche Bachche hai'n, Ho Sakta hai Jo Chhota Bachcha Ro raha hai Mumkin hai k uske Rone ki Vajah bahut hi Mamooli ho, Humne dekha k Ek Bada Bachcha hai Ek Chhota, Ab Chhota Bade Ko Maarna Chahta hai aur Wo Maarne nahi deta, is per Chhota Rona Shuru kar deta hai, Ab ye Mazloom thoda hai jo Ro raha hai, Nahi ! Ye isliye Ro raha hai k Ye Badi Behan mujhe maarne nahi deti, To fir kya Bachche ke Rone per foran gusse me aa jaye'ngi ? Nahi esi baat nahi hai,*
*★_ Aam tor per dekha k Chu'nki Maa'n ki Muhabbat hoti hai, Zara Bachche ke Rone ki Awaaz nikli aur Maa'n ke Moo'nh se Alfaaz nikalne shuru ho jate Hai'n, Bolna Shuru kar deti hai, Doosre Bachcho ko kosna, Doosre Bachcho Ko Kusoorvaar thehrana shuru kar deti hai'n,*
*★_ Yaad Rakhe'n Jab Aapne Chhote Bachche ki Mamooli Baat se Rone per Bade ko Daa'ntna shuru kar diya to Bade Bachche Ke Andar Aapne Apni Na insaafi ka beej Bo diya, Uske Dil me daal diya k Aami Na insaaf hai, Kyunki Bachcha bager ilzaam ke koi Daa'nt Bager Galti ke koi ilzaam Apne Ouper Bardasht nahi karta, Jab uske Dil me hota hai k maine Galti nahi ki to usko Samajh nahi aati k mujhe Kyu'n Daa'nta ja raha hai,*
*★_ To wo Maa'n se fir Nafrat karne lag jata hai, Maa'n ko bura Samajhna shuru kar deta hai, Sochta hai k Bas Maa'n to Hamesha Chhote hi ki Side leti hai, aur kai martaba hota hi esa hai k Agar Beta Chhota hai to Badi Behno ki Shamat aayi rehti hai, Har Baat per Behno ko daa'nt pad rahi hai, Bhai Bachcha hai, Ab us Bachche ki Khaatir Aap Doosro ko to barbaad na kare'n, isliye ye Cheez Zehan me rakhe'n k Bachche ka Rona Hamesha mazlumiyat ka Rona nahi hota, Kai martaba Bachcha khud Doosre Bachcho ko maarta hai, Ek dafa maara Doosri dafa maara, Teesri dafa maara, Jab Behan Ko do chaar dafa usne maara, usne bhi Gusse me aa kar Ek thappad laga diya, jab usne ek lagaya Ab Bachcha Rota hua aa gaya, ab Wo jo Rota hua aa raha hai ye maar kha kar nahi aa raha hai, Ye Teen dafa maar ke aa raha hai,*
*★_ Hazrat Luqman Hakeem ne farmaya - Agar koi Tumhare paas aaye aur wo dikhaye k mera Ek kaan kisi ne kaat diya hai to Tum faisle me jaldi na karna jab tak k Tum Doosre Bande se na puchh lo, Ho Sakta hai k usne uske Dono kaan kaat diye ho'n, Agar koi kahe k ji isne mujhe mukka maara aur Waqa'i maara bhi hai to faisla na kare'n, Jab tak Sahi Soorate Haal maloom na kar le'n, Ho Sakta hai k usne pehle uske Do mukke maare ho'n ya aur koi zyadti ki ho,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Chhoto ke Jhagde Bado Ke Jhagde Kaise bante hai'n:-*
*★_ Aam tor per ye dekha gaya hai k Galtiya'n chhoto ki hoti hai'n aur Mamooli hoti hai'n Lekin Bado Ki Jaldbazi Ki Vajah se fir Wo Bado Ke Jhagde ban Jaya karte hai'n, Chuna'che Agar Koi doosra Bachcha Padosi Ke Bachche Ke Saath khel raha hai aur Qusoor bhi Apne Bachche ka hai lekin Agar Usne Rona Shuru kar diya to Ab ye Khatoon Padosi Ke Bachche ko Kosna Shuru kar degi aur jab uski Maa'n ye Awaaz Sunegi to ye Aapas me ladna jhagadna Shuru kar dengi,*
*★_ Chhoto ki Baat thi, Bado Ke Jhagde ho gaye aur Aapas me Nafrate paida ho gayi, To Esi Jaldbazi nahi karni chahiye, Magar isme Ek aur bhi Aham baat hai, Wo ye k Bachche Agar chhoti Chhoti Baato per Aapas me jhagad padte hai'n to Allah Ta'ala ne bhi unki Memory itni Short rakhi hai k Chand minute ke baad fir Aapas me Khel rahe hote hai'n,*
*★_ Bachche ke Rone me aur Bachche ke banne me Paan'ch Second ka farq bhi nahi hua karta, Abhi Bachche Ke Aa'nsu beh rahe hai'n, Abhi usko Maa'n ne utha liya, Uske Aa'nsu khatm, Uska Rona Khatm, Bachche Ka Rona aur, Bade ka Rona aur hota hai, isliye Bachcho ke Rone ki Haqeeqat ko Samajhne ki koshish Kare'n aur Ye bhi Zehan me rakhe'n k in Bachcho ke Rone per ya Jhagadne per hum usko Bado Ka Jhagda nahi bana Sakte, isliye k Bachche Thodi der ke baad usko Bhool kar fir Ek Doosre ke Saath ghul mil jayenge,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ek ibrat Angez Waqi'a:-*
*★_ Chuna'che Hum Ek Waqi'a Likhte hai'n k Bachche Thodi si baat per Jhagad pade, Maa'n ne doosre Bachche ke Thappad laga diya, Uski Maa'n ne bhi aa kar usse Jhagda Karna Shuru kar diya,*
*★_ Dono Taraf ke Khawind aa gaye, Hattaki Ek Doosre ko unhone Zakhmi kar diya, Police aa gayi, itna Padosiyo me Fasaad faila k khuda ki Panaah ! Jab Agle Din Maa'n Baap Subeh uthe to kya dekha k Gali me Dono Bachche Fir khail rahe they,*
*★_ To Bachcho ki Ladayi Esi hi hoti hai, To Bachcho ki Ladayi per itna Maa'n Baap ka ulajh Padna k Ek Doosre ko Zakhmi kar de'n, Police aa jaye, Zindgi bhar ke liye Talluq munqata ho jaye, Ye intehayi Jahalat ki Baat hoti hai, Lihaza Bachcho ke Jhagde ki Haqeeqat ko Samajhna chahiye,*
*★_ Haa'n jab Bachcha Ladayi kar le to Ab Samjhe'n k Bachche ne Aakhir jhagda kyu kiya ? Fir iske baad Bachche ko Samjhaye'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Bachcho Ko Nasihat Kare'n:-*
*★_ Agar Bachche Jhagad pade'n to Aap Haqeeqat ko Maloom kar le'n aur Jiska Qusoor ho usko Sorry karne ke liye kahe'n, Usko Maafi maangne ke liye kahe'n, Jisne Dil dukhaya hai Zyadti ki hai usko Kahe'n k Haath Jod kar maafi maange aur usko Samjhaye'n k Suleh ke andar Allah ne khair rakhi hai aur Bachche ko Samjhaye'n k Jo Duniya me doosre ki Galti ko jaldi maaf kar dega, Allah Ta'ala Qayamat ke Din uski Galtiyo'n ko jaldi maaf farma dega,*
*★_ Jab Bachche ko Suleh ki Achchha'i batayengi aur Maaf karne ki Khoobi bataye'ngi to Galti karne wala maafi bhi maang lega aur Jiske Saath Zyadti hui wo Jaldi maaf bhi kar dega aur Wo Bachche Fir Aapas me Muhabbat Pyar se khelne lag jayenge,*
*★_ Allah Rabbul izzat Hamare Ghar ke Bachcho ke Andar se in jhagdo ko khatm farma de aur Bado ko in Jhagdo me ulajhne se Allah Mehfooz farmaye, isliye k Jhagde Fasaad hote hai'n aur Allah Fasaad ko Napasand karte hai'n, Allah Ta'ala hume Fasaad se bachaye rakhe,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Bado Ke Jhagde bhi Bade :-*
*★_ Jo Log Jawani ki Umr me Pahu'nch jate hai'n Aqal Pukhta ho jati hai, Unki bhi Ek Doosre ke Saath Ranjishe hoti hai'n Lekin Ye Umr Esi hoti hai k Jazbaat aur Khayalaat me Pukhtgi aa jati hai, Lihaza un per Har Baat ka Asar der tak rehta hai, Unhe muddato baate Yaad rehti hai'n, aur is Umr me Pahu'nch kar insaan itna mature ho chuka hota hai k Wo Doosre Bande ko Apne Halaat v Kaifiyaat ka pata bhi nahi chalne deta, Lihaza Aap chehre se dekh kar ye Samjhengi k ye mere Saath bilkul theek hai jabki Uske Dil ke andar Koi na koi Cheez khatak rahi hogi,*
*★_ To Badi Umr ke Bande ko Gami aur Khushi Chhupane me maharat Haasil ho jati hai, Ek to Baat ka Asar der tak raha aur Doosra unhone apne Andar ki Feelings ka Doosre ko pata hi na chalne diya, Teesra Jalti per Tel ka kaam ye hota hai k insaan ko Doosre Ki Achchha'iya to bhool jati hai, Magar unki Galtiya'n hamesha Yaad rehti Hai'n, Teen Baate Esi hai'n k Jis Vajah se Bado ke Jhagde bhi Bade ban jate hai'n aur Der tak rehte hai'n,*
*★_ Fir isme Ek Cheez aur Shamil Ho jati hai k Bado ke Andar Soch ka Maadda bhi zyada hota hai, Wo Ek chhote se Maamle ko Apne Zehan me le kar sochna Shuru kar dete hai'n, Unko Sochne ke liye Mudda mil jata hai aur uske Ouper ek khayali imarat banana Shuru kar dete hai'n,*
*★_ Achchha ! Fala'n ne aaj achchhe kapde nahi pehne hue they lagta hai Apne Ghar me khush nahi, lagta hai Khawind ke Saath nahi banti, Ho Sakta hai k Saas pasand na karti ho, koi na koi vajah to hai, Ab Ek Aurat jo Saadgi ki Niyat se Bayan Sunne ke liye Saada kapde pehan kar aa gayi, Ab is point ko lekar Unhone is per Apne Khayalaat ke Taane Baane bunna shuru kar diye aur Ek Story bana li k hume to lagta hai k Fala'n Ladki jiski Abhi Shadi hui hai Apne Ghar me khush nahi, Story bhi ban gayi aur Natija bhi nikal gaya,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Badgumani Ki Nahusat:-*
*★_ Fir isme Hamara Ek Dushman hai, Jisko Shaitaan kehte hai'n aur Ek Jise Nafs Kehte hai'n, Wo Badgumani ke Zariye Soorate Haal ko aur zyada bura bana dete hai'n, Chhoti Chhoti Baato ko badi kar dete hai'n, Jiski Vajah se insaan Doosre ki Chhoti Galti ko bada Samajhta hai aur Apni badi Galtiyo'n ko bhi wo Chhota Samajhta hai,*
*★_ Doosre ke Bare me koi buri Baat Zehan me Sochna Ye Cheez Badgumani Kehlati hai, Shari'at ne Badgumani ko Haraam Qaraar diya hai, Bado ke Jhagde ki Buniyad me Aksaro Beshtar Badgumani ki Nahusat Shamil hoti hai, Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya k tum Gumaan se Bacho Kyunki Aksar Gumaan Jhoot hote hai'n, To Bajaye Nek Gumaan Karne ke Shaitaan Badgumani karwata hai aur insaan ko Fitno me mubtila karta hai,*
*★_ imaan Walo ke Saath Badgumani ye Kabeera Gunaah hai, isliye Mohsine insaniyat Sayyadna Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya k imaan Walo ke Saath Nek Gumaan rakho, Badgumani na Rakho,*
*★_ Chuna'che Imaam E Aazam Abu Hanifa Reh. ne is Hadeese Mubarak se ye matlab nikala k Agar Kisi Bande me Unhattar Baate Aib ki nikalti ho'n Lekin Ek Raasta Khair ka nikal Sakta ho to Tum us Ek baat ki vajah se Uske Saath Nek Gumaan rakho, Lekin Hamara kya haal hai ? Har cheez bata rahi hoti hai k kaam to Theek hai Lekin Hum usme se Badgumani ka Raasta Talash kar rahe hote hai'n,*
*★_ To ye Kitne Maze ki Baat hai k Nek Gumaan rakho Agarche Koi Bura ho, Allah Ta'ala Neki fir bhi de dete hai'n aur Agar Badgumani kar li to Qayamat ke Din Uske Ouper Daleele Shara'i pesh karni padegi, Saboot dena Padega, Varna insaan is Jurm ke Andar khud Giraftaar hoga,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Badgumani Ek Akhlaqi Bimari:-*
*★_ Ye Badgumani Tamaam Jhagdo ki Buniyad hai, Shaitan Fasaad paida karne Ke Liye Pehla Kaam hi ye karta hai k Logo'n ko Aapas me Badguman karta hai, Kisi Ke Dil me Ek Doosre Ke bare me Galat Andaze Galat Khayalaat paida kar ke unko Ek Doosre se Mutnaffir karta hai, Baat itni hoti nahi Jitni use Nazar aa rahi hoti hai, Khwah mKhwah ke aitraaz paida ho jate hai'n Jinka Haqeeqat se Door Ka bhi Talluq Nahi hota,*
*★_ Qayamat Ke Din Ka'i Log ho'nge k Wo Apne Aapko Achchha Samajh rahe ho aur Wo Doosro ke Saamne Pehle Jahannam me o'ndhe Moo'nh daale jayenge, isliye k Allah Ki Makhlooq ke Saath Badgumani karne ki unko Aadat hoti hai, Ye Ek Aadat hai, iska Talluq Aadat se hai k Apne Siva Nigaah me koi ja'nchta hi nahi, Laakh Achchha'iya'n Kisi ki ho Nazar hi nahi aati, To Buraiyo'n Ke Ouper to Doobeen fit ki Hoti hai, Jo Maamla Aap uske Saath kar rahe hai'n Wohi Maamla Allah Ta'ala Aapke Saath karenge,*
*★_ Zara Zara si Baato per Badgumaniya'n hone lag jaye'n, Hum Aapas me Ek Doosre ke Qareeb rehte hue Chhoti Chhoti Baato per Badgumaniya'n Shuru kar de'n to fir Aapas me Jhagde aur Nafrate hi paida ho'ngi, isliye Allah Ta'ala se Ro Ro kar Maafi maangni chahiye aur is Bimari se Allah ki Panaah Maa'ngni Chahiye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Shaitaan Ke Khilaaf Do Moassir Hathiyar:-*
*★_ Yaha'n Ek Nukte ki Baat Samajhne Ki koshish Kare'n k Shaitaan insaan ke Zehan me bure Waswase daalta hai, Ye Waswase Agar Aap Apne Zehan se nikaal de'n to fir Aap Badgumani se bach jaye'ngi Shaitan Sochne ke Liye point de deta hai aur us per Bande Soch Vichar kar ke bil Aakhir Badgumani ke murtakib ho jate hai'n,*
*★_ Jab bhi Shaitan Zehan me koi Waswasa daale, Aap us Waswase ko Sochne ki bajaye foran "La Hawla Wala Quwwata illa Billah" padha kare'n, Kisi Ke bare me bure Khayal Zehan me aaye'n, Devrani, Jethani ke bare me, Saas ke bare me, Padosi ke bare me kisi ke bare me koi bura Khayal aaye to Foran padhe'n, La Hawla Wala Quwwata illa Billah_,*
*★_ is Khayal ko na Soche'n, na uski Tasdeeq karne ki koshish Kare'n, isliye k Shaitan Badgumani ka murtakib karwa kar Aapko khair se mehroom kar dega, To Shaitan to Esa Bad bakht hai k Bas Wo Waswasa Zehan me daalta hai, To Waswase ko mat soche, us Khayal ko mat aage badhaye balki Hamare paas do Hathiyar hai'n, Ek Hathiyar "La Hawla Wala Quwwata illa Billah" aur Doosra Hathiyar "A'auzu Billahi Minash Shaitanir Rajeem_,*
*★_ in dono se us Waqt Shaitan bhaagta hai, Door chala jata hai aur Allah Ta'ala us Bande ki Shaitan ke Waswase se Hifazat farma dete hai'n, ibne Arabi Reh. Farmate hai'n k meri Ek martaba Shaitan se mulaqat hui to mujhe kehne laga:- Ibne Arabi ! Bade Aalim ho, maine kaha- Haa'n, kehne laga- Mere Saath Aaj munazra kar lo, Maine kaha - Mai'n Hargiz nahi karunga, Kehne laga - kyu ?*
*★_ Mai'ne kaha k Allah Ta'ala ne mujhe Tere liye ek Danda diya hai jiska Naam hai "La Hawla Wala Quwwata illa Billah" Mai'n ye Danda istemal kar ke Tujhe Yaha'n se door bhaga dunga, Mujhe tujhse bahas me padne ki zarurat hi nahi aur Waqa'i Agar wo Bahas me pad jate to Shaitan unke Dalaa'il ko tod kar Shayad unko kisi bure point per le aata,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Wasawis Ka Kya ilaaj ?*
*★_ Chand Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Nabi ﷺ ki khidmat me aaye, Ey Allah ke Habeeb ! Hamare Dil me Baaz Awqaat ese Khayalaat aate Hai'n k Hum Faa'nsi per Latak jate, Aag me pad jate Ye Zyada behtar tha Banisbat iske k Ese khayal hamare Zehno me aaye'n,*
*★_ To Nabi ﷺ ne farmaya k ye tumhare imaan ki Alamat hai, Jab bhi bura Khayal aaye aur Banda usko Napasand kare to ye Alamat hai k Waqa'i Allah ne us Bande ke Dil me imaan ko bhar diya hai, Ye Waswase to aate hi rahenge, un per Pareshan nahi hona chahiye,*
*★_ Mukhtalif qism ke Khayalaat aate rehte hai'n, Kabhi Achchhe, Kabhi bure, Kabhi Nafs ki Taraf se, Kabhi Shaitaan Ki Taraf se aur Kabhi Rehman ki Taraf se Khayalaat aate Hai'n, Lekin Momin ko chahiye k Wo Khair ke Khayal apnaye, uske bare me soche aur Jo Doosre Qism ke Waswase aur Khayalaat ho'n Unko Apne Zehan se hi nikaal de'n, Unki Taraf dhyan hi nahi denge to Wo Aapka kuchh bigaad hi nahi Sakega, Chuna'che Nabi ﷺ ne Dua maangi :-*
*"_الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي رَدَّ أَمْرَهُ إِلَى الْوَسْوَسَةِ_,*
*"_ Tamaam Tareefe Allah Ta'ala ke liye jisne Shaitaan ke Maamle ko Waswase ki had tak rakha_,*
*★_ Ab koi Shaitaan hamara haath pakad kar to nahi Gunaah karwa Sakta, Waswasa hi daal Sakta hai Na'n , us Waswase Ko maanna ya na maanna ye To Bande ke Apne Akhtyar me hota hai, To Agar ye baat Samajh aa jaye to fir Bando ko Waswase ki Parwah nahi hoti,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Manfi Wasawis Ko Nazar Andaz kare'n:-*
*★_ Ka'i Logo'n Ko dekha k Waswaso ki vajah se hi pareshan ho jate hai'n, Oji ! Pata nahi Mera imaan hai bhi ya nahi, Bhai Kyu nahi hai Aapka imaan ? Ji mere zehan me Ese Khayal aate Hai'n, Bhai Kayal aane se insaan Wesa to nahi ban jata,*
*★_ Dekhe'n! Ramzanul Mubarak ka Mahina hai, Agar Aapke Zehan me baar baar ye Khayal aaye k Fridge me Sharbat pada hai, Mai'n Uth kar pi lu, to kya isse Roza Toot Jayega ? Jab tak Aap piyenge nahi Us Waqt Tak Roza nahi tootega, Chahe ye Khayal ek hazaar martaba Aapko aa jaye, isi Tarah jab tak us Waswase per Amal na kiya jaye to Waswasa insaan ko koi Nuqsan nahi de sakta,*
*★_ Chale'n Ek aur Misaal, Har insaan ke Jism ke andar Najasat kisi na kisi had me har Waqt hoti hai ( Peshab, pakhana) lekin jab tak wo insaan ke Jism se khaarij na ho us Waqt Tak uska Wazu nahi Tootta, to Ab koi Banda is Vajah se pareshan hai k Ji Mai'n kaise Namaz padhu ? Mere to pet me pakhana hai, To bewaqoofo Wali Baat hai na, Lihaza Wasawis ke aa jane per pareshan nahi hona chahiye balki ese Wasawis ko Nazar Andaz kar dena chahiye aur nek Khayalaat ke bare me Sochna chahiye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Wus'ate Nazar aur Wus'ate Zarf :-*
*★_ Jo insaan Waiul Nazar ho jata hai Hamesha uske aitrazaat Doosro Per kam ho jate hai'n, Ye Zehan me rakhna ! Jiska Zarf bada hota hai, Jiska Dil Bada hota hai, Usko Doosro per aitraaz karne ki Zarurat hi nahi pesh aati, aur Ye kamzarfi Ki Alamat hoti hai k insaan Doosro Per aitraaz karta firta hai aur Khud Apna maamla usse zyada bura hota hai,*
*★_ To hume Allah Rabbul izzat ke bare me bhi Nek Gumaan rakhna hai aur Momin ke bare me bhi Nek Gumaan rakhna hai, Kisi ki Ek Baat ke Andar Agar Burayi ka Pehlu nikalta hai to Aap Soche'n k Agar Koi Achchha'i ka Pehlu nikal Sakta hai to Aap Us Achchha'i ke Pehlu ke bare me Soche'n aur Uske Saath khair Ka Gumaan rakhe'n, Hattaki Agar Sattar Burayi Ke Pehlu nikalte hai'n aur Ek Khair ka nikalta hai to Burayi ke Sattar Pehluo'n ko Nazar Andaz kar de'n aur Ek Pehlu Ko Qubool kar le'n aur uske bare me Nek Gumaan rakhe'n, is Tarah se insaan Fir Bad Gumaani ke Gunaah se bach jata hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Jhagde Fasaad Ke Chaar Marhale:-*
*★_ Bado Ki Ladkiyo'n me Chaar Marhale aate Hai'n:-*
*"(1)_ Pehla Marhala: Badgumani:- Pehla Step Badgumani hua, Aam Tor per Pehle Badgumani aati hai, Shaitaan Bande Ke Dil me Doosre Ke bare me ulte Sidhe Khadshaat aur Wasawis daalta hai Jinka Aksar Haqeeqat se Koi Talluq Nahi Hota, Lekin Jab Ye Dil me Pukhta ho jate hai'n to Dil me Doosre Ke bare me Keena paida hota hai, Yu'n Jhagde Ki Buniyad khadi ho jati hai,*
*★(2)_ Doosra Marhala: Geebat:- Doosre Marhale me Jiski Badgumani Dil me paida hui Banda Uski Geebat Shuru Kar deta hai, Badgumani Geebat Ki Shakl Akhtyar kar leti hai, Dil me Kisi ke bare me Badgumani aayi aur Uski Geebat Karni Shuru kar di, Uske bare me Comments dene Shuru kar diye, Uski Buraiya'n bayan karni Shuru kar di,*
*★(3)_ Teesra Marhala: Ladayi Jhagda:- Aur Teesra Step hota hai Aapas me Ladayi Jhagda aur Fasaad, Jab Geebate Shuru ho jati hai'n to Doosre Ko Pata Chalta hai Wo Do Chaar Sunata hai, Bas Fir Ek Doosre per Gola Baari Shuru rehti hai, Hattaki kabhi Barahe Raast Haatha Paayi ki bhi Nobat aa jati hai,*
*★(4)_ Chotha Marhala: Qat'a Rehmi:- Jab baat is Had Tak badh gayi to Ab Chotha Qadam hota hai Ek Doosre ke Saath Talluq ko Khatm Kar lete hai'n, Bol Chaal, Aana Jana Band ho jata hai, ise Qat'a Rehmi kehte hai'n Ye bhi bade Gunaah ki Baat hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Pehle Qadam Per hi Ruk jaye'n:-*
*★_ To Shaitaan aur Nafs Badgumani se Safar Shuru Karwate hain aur Qat'a Rehmi tak insaan Ko Pahu'ncha dete hai'n, Wo jaante hai'n k Qat'a Rehmi Esa Gunaah hai k Shabe Qadr me bhi Qat'a Rehmi Karne Wale ki Allah Ta'ala Magfirat Nahi farmate, Allahu Akbar Kabeera ! To Sochiye k Ye Badgumani Kaha'n insaan ko le kar girati hai?*
*★_ isliye Pehle Qadam Per hi Shaitaan Ko Rok dijiye aur Doosro ke bare me Nek Gumaan rakhne ki Aadat bana lijiye! Dil ko ye Samjhaye'n k mere Apne hi Masle konse thode hai'n k Mai'n Doosro ke bare me Sochta firu, Mera hi bojh mere Sar per itna hai k Qayamat Ke Din is Bojh ko utha paya to badi baat hai, Khwah mKhwah Doosro ke bare me Kyu'n Mai'n koi Raay du'n ? Ho Sakta hai k Allah unke Gunaho ko maaf kar de aur Ho Sakta hai k meri Khatao'n Ke bare me mujhse Sawal kar le,*
*★_ To Doosro Ke maamle ko Aap Hamesha Light ( Halka) Liya kare'n, Nafs ke bare me Apne Aapko Hamesha Tight kiya kare'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Dilo'n Ka Jod :-*
*★_ is Duniya me Allah Rabbul izzat ne Do Cheezo Ko Jodne Ke Liye Koi na Koi Teesri Cheez banayi hai, Maslan Do ie'nto Ko Jodne Ke Liye Allah Rabbul izzat ne Cement Ko bana diya, Lekin Ladki Ke Tukdo Ko Jodne Ke Liye Cement kaam nahi aayega, Waha'n Aap Keel istemal karenge, Agar Kaagaz ke Do Tukde Jodne ho to na Cement kaam aayega, na keel kaam aayega, Waha'n per Glue kaam aayegi, Kapde ke Do Tukde Jodne ho to Waha'n per Su'i dhaaga kaam aayega,*
*★_ To dekhe'n! Mukhtalif Cheezo ko Jodne ke liye Koi na koi Allah ne Teesri Cheez banayi hai, Sawal paida hota hai k Do insaano ke Dilo ko Jodne Ke liye Allah ne kya Cheez banayi ? To iska Jawab "Deen E islam" hai, Agar wo dono Log Shari'at per Amal karne lag jaye'n, Neki Taqwa Per Amal karne lag jaye'n to Us Neki ki Vajah se Allah unke Dilo me Khud ba Khud Muhabbat paida farma dega aur iski Daleel Qur'an Azeemush Shaan me se Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:-*
*★__ إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ سَيَجْعَلُ لَهُمُ الرَّحْمَٰنُ وُدًّا ( سورۃ مریم 96)*
*"_( Tarjuma) Jo Log imaan layenge Nek Aa'mal karenge hum unke Dilo ke Andar Muhabbate bhar denge _,"*
*"_ To Neki per hona Deen per Hona, Ye Aapas me Dilo me Muhabbate hone ka Zariya hota hai, isliye jo Miya'n Bivi Deendaar ho to unke Darmiyan Misaali Muhabbate hoti hai'n, Jo Maa'n Baap Sabke Sab Deendaar ho unke Darmiyan Aapas me Misaali Talluq hota hai, isliye Ghar ke andar Muhabbato ko failane ke liye, Khushiyo'n bhari Zindgi guzarne ke liye Sab Afraad ko Deen per Zindgi guzarni chahiye,*
*★_ Beti bhi Deendaar, Beta bhi Deendaar, Maa'n Baap bhi Deendaar to Deen per Amal ki Barkat se Allah Ta'ala Dilo ke andar Muhabbate bhar dega, Kufr ke Mahol me Maa'n Baap aur Aulaad ke darmiyan wo Muhabbat hargiz nahi hoti jo Deendaar Gharano ke andar hoti hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khandani Adawat ... Allah Ka Azaab :-
*★_ Ye Baat Zehan me rakhe'n k Bado ki Jo Ranjishe hoti hai'n wo Fir Badi ban Jaya karti hai'n, Wo Pehle Ek Ghar Ki Ranjishe hoti hai'n fir Khandaan ki Ranjishe ban Jaya karti hai'n Balki Khandaani Adawate ban jati hai'n aur Ye Khandani Adawate is Duniya me Allah Rabbul izzat ka Azaab hai, is Azaab se Allah Rabbul izzat se Panaah Maa'nge,*
*★_ Aap Mehsoos kare'n k kisi ka Dil dukha Kisi ko Pareshani hui ya Mai'n Kisi Ki Tawaqqo ko poora nahi kar Saka to Foran usse Maafi Maa'ng le'n, Ye Asaan Tareeqa hota hai maamle ko Suljhane ka, Maafi maangne me pareshan na ho'n, Ye Bahut Achchhi Aadat hai aur bade bade Bojh insaan ke Sire se Tal jate hai'n,*
*★_ Hamare Ek Qareebi meharban they, Unki Aadat thi Jisko milte they usko Juda hone se pehle kehte they - Ji Aapke mere Ouper bade Huqooq they Mai'n unko poora nahi Kar Saka, Aap mujhe Allah ke liye Maaf kar de'n, Esi Baat Allah ne unko Samjha di thi k Har ko Yahi kehte they, Ji Aapke mere Ouper bade Huqooq they Mai'n unko poora nahi kar saka Aap mujhe Allah ke liye Maaf kar de'n, itni Lajajat aur Aajizi ke Saath kehte they k Doosre Bande ko un per Pyar aa jata tha, To Bande ko isi Tarah Doosre se maafi maangni chahiye, Zaahir me koi agar Galti nahi bhi Nazar aa rahi fir bhi maafi le'n, iska fayda hi ye hai k Qusoor maaf ho jayenge,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Hazrat Umar Ka Maafi maangna:-*
*★_ Ek Martaba Sayyadna Bilaal Raziyallahu Anhu bethe hue they, Koi baat chali to Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne koi Sakht Lafz istemal kar diya, Jab Umar Raziyallahu Anhu ne Sakht Lafz istemal kiya to Bilaal Raziyallahu Anhu ka Dil jese Ek dam bujh jata hai is Tarah se ho gaya aur Wo Khamosh Ho kar Waha'n se uth kar chale gaye, Jese hi wo uth kar gaye, Umar Raziyallahu Anhu ne Mehsoos kar liya k Unhe meri is baat se Sadma Pahu'ncha hai,*
*★_ Chuna'che Umar Raziyallahu Anhu usi Waqt uthe, Bilaal Raziyallahu Anhu ko aa kar mile, Kehne lage: Ey Bhai ! Maine Ek Sakht Lafz istemal kar liya, Aap mujhe Allah Ke liye maaf kar de'n, Unhone kaha - ji Ji, Magar Umar Raziyallahu Anhu ko Tasalli nahi ho rahi thi isliye k Wo zara khamosh Khamosh they, Dil Jo dukha tha,*
*★_ To Jab Umar Raziyallahu Anhu ne dekha k Bilaal ka Dil khush nahi ho raha to Baat karne ke baad Bilaal Raziyallahu Anhu ke Saamne Zameen per Let gaye aur Kaha- Bhai ! Mere Seene per Apne Qadam rakh do ! Meri Galti ko Allah ke liye maaf kar do ! Bilaal ki Aa'nkho me Aa'nsu aa gaye, Ameerul Momineen ! Mai'n Esi Harkat kaise kar Sakta hu'n ?*
*★_ Jo Bade Hazraat E Sahaba they Apni Zindgi ke maamle ko ese Sameta karte they, Yaad Rakhe'n ! Aaj Doosro ke bare me kuchh Alfaaz keh dena Aasaan hai Lekin Agar Kal Qayamat ke Din Allah Rabbul izzat ne Hume khada kar ke poochh liya - Batao tumne fala'n ko zaleel kyu kaha tha ? Tumne fala'n ko be imaan kyu kaha tha ? Soche'n ! Hum in Baato ko us Din kaise Saabit kar Sakenge ? Ye Wo Din hoga jisme Ambiya bhi khabrate honge, Allahu Akbar Kabeera!*
*★_ Aaj Waqt hai k Hum Doosro ke bare me Nek Gumaan rakhe'n, Ladayi Jhagde ko ibtida se khatm kar de'n, Zyadti ho jaye to Doosre se maafi maang le'n aur is Aapas ki Ladayi Jhagde ko Allah ka Azaab Samajhte hue Allah se uski Panaah Maa'nge aur is Fasaad se hum Apne Aapko bachane ki koshish Kare'n, Ye Dil me Tamanna ho k hum Apne Gharo ko, Apne Khandaano ko is Fasaad Wale Azaab se bachayenge aur Muhabbat aur Ulfat ki Zindgi guzarenge, Allah Ta'ala Hamari kotahiyo'n ko maaf farmaye aur hume Apne Maqbool Bande Bandiyo me Shamil farmaye, Aameen Ya Rabbul Aalameen,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Silah Rehmi aur Qat'a Rehmi :-*
*★_ Ye Jo Aapas me Talluq Jodna hai isko Shari'at ne Silah Rehmi kaha, Silah Rehmi ka Matlab ye hai k Jin Rishte Naato ko Shari'at ne kaha k inko Mazboot rakha jaye, Un Rishto ko Aapas me Mel Jol, Len Den, Pyar Muhabbat se nibhaya jaye, isko Silah Rehmi kehte Hai'n aur Ek Doosre ke Saath bolna chhod dena, milna julna chhod dena, isko Qat'a Talluq aur Qat'a Rehmi kehte hai'n, Allah Ta'ala ko Qat'a Rehmi Napasand aur Silah Rehmi Pasand hai,*
*★_ Hadees Paak me aata hai k Do Cheezo Ka Badla bahut Jaldi mil Jata hai:-*
*(1) Agar Aapas me Silah Rehmi kare'n to iski Barkate uski Zindgi me bahut Jaldi Zaahir hoti hai'n,*
*(2) Agar Koi Banda Qat'a Rehmi kare, Maslan kisi Per Takabbur ka Bol bol diya ya Zulm kiya to uska Azaab insaan ko bahut Jaldi Aa'nkho se dekhna Naseeb hota hai,*
*★_ To Silah Rehmi ka Sawab Jaldi milta hai, Zulm ka Azaab jaldi milta hai, Lihaza hume chahiye k hum Aapas me Silah Rehmi ke Saath rahe'n,*
╥────────────────────❥
*⊙_ Silah Rehmi ke Teen inamaat:-*
*★_ Ek Hadees Mubarak me Nabi ﷺ ne irshad farmaya k Silah Rehmi per Allah Ta'ala Bande ko Teen in'aam ata karte hai'n:-*
*(1) Pehla in'aam - Allah Ta'ala Bande Ki Umr ko Taveel kar dete hai'n Yani Lambi Umr ata karte hai'n,*
*"_(2) Doosra in'aam - Allah Rabbul izzat us Bande Ka Rizq Kushada farma dete hai'n, Khula Rizq ata farma dete hai'n, Silah Rehmi karne Wale ko kabhi bhi Rizq ki Tangi me Allah Ta'ala nahi daalte,*
*(3)_ Aur Teesra in'aam k Silah Rehmi karne Wale ko Allah Ta'ala buri Maut se mehfooz farma dete hai'n,*
*★_ To maut bhi Kalme Per Naseeb ho gayi, Maal me bhi Barkat ho gayi, Umr me bhi Barkat ho gayi, To bataiye k iske alawa Banda aur kya chahta hai ? Aksar Hamare Jo Masa'il hai'n, Ya Sahat se Mutalliq ya Karobaar se Mutalliq ya Deen se Mutalliq, To Teeno Masa'il ka Hal Silah Rehmi me hai,*
*★_ Jab Umr Taveel hogi to iska Matlab ye hai k Sahat Achchhi hogi, Jab Rizq Kushada hoga to iska Matlab Qarzo Marzo se jaan chhoot jayegi, Gair Ke Saamne Haath nahi failana padega, Allah Ta'ala lene wale ki jagah Bande ko dene Wala banayenge aur Buri Maut se Hifazat se Muraad ye hai k Allah Rabbul izzat Bande ko Deen Wali Zindgi ata farmayenge taki uski Zindgi bhi mehmood aur fir Uski Maut bhi mehmood ho sake,*
*★_ in Teen in'amaat ko Saamne Rakhe'n! Ghar me Bachcho ko bado ko Mardo'n ko Aurto'n ko ye Hadees Paak Sunaye'n ! Aur iske fayde unko khol khol kar bataye'n k Dekho ! Tum Aapas me jhagadte ho, Ek Doosre Ke Saath Roothte ho, Bol Chaal Band kar dete ho, Maar Kutayi ka maamla karte ho, Jabki Allah Rabbul izzat chahte hai'n k Muhabbat Pyar se raho fir dekho kitne bade bade in'aam milenge,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Jannat me Dakhila Aasaan:-*
*★_ Ek aur Hadees Paak me hai, Tibrani Shareef ki Rivayat hai, Nabi ﷺ ne irshad farmaya - Jo Banda Chahe k mera Hisaab Aasaan ho aur Mai'n jaldi se Jannat me Dakhil ho jau'n to usko Chahiye k Jo Tujhse Tode Usse Jod, Jo Tujh per Zulm kare Use Maaf kar de, Ata kar Jo Tujhse rok le_,*
*★_ Jo Tujhse Tode Usse Jod yani Jo Bhai Behan usse Door Hona chahe ye Usko Qareeb karne ki koshish kare, Koi Rooth jaye ye usko mana le, Koi Pareshan ho to ye Uski Pareshani ko khatm karne me madad kare taki Dil Ek Doosre ke Saath Mazeed jud jaye'n, Farmaya- Jo Tujhse Tode Tu usse jod !*
*★_ Ye nahi k Jese Hum kehte hai'n k Hamare Saath koi Achchha rahega to hum achchhe rahenge, Agar Bura hoga to hum bhi bure banenge, ye to Tijaarat hui, Nabi ﷺ ne irshad farmaya - Jo Tujhse Tode Tu usse jod yani Jo Tujhse Door hona chahe tu usko Apni Muhabbat Pyar se Qareeb kar le,*
*★_ Doosra farmaya- jo Tujh per Zulm kare tu Allah ke Liye usko maaf kar de, Lihaza Bhai Behno me Aapas me kisi ne Mazaaq kar diya, Zyadti kar di, Doosre ka Dil dukha diya, go esa nahi karna chahiye tha, magar Maaf karne ko chahiye k Jaldi maaf kar de taki Allah ki Rehmato se usko Hissa Naseeb ho,*
*★_ Aur Teesra farmaya jo Tujhe Mehroom kare tu usko ata kar de, Behan Bhaiyo'n me ye bhi masla hota hai, Ye cheez laya tha usne mujhe nahi di thi, Mai'n usko kyu du'n?*
*"_ Jo Banda ye Teen kaam karega uska Hisaab Aasaan hoga aur wo Jannat me Jaldi dakhil ho jayega, Silah Rehmi me to wo Tamaam Rishtedaar Shamil hai'n Jo Shari'at ne qaraar diye hai'n, To farmaya- Silah Rehmi Allah Rabbul izzat ko itni pasand hai k ghar ke Log Agar Gunahgaar bhi honge, Allah unko Silah Rehmi karne ki vajah se maal aur Aulaad ki Kasrat ata farma dega, Allahu Akbar Kabeera,*
*★_ Ye Deen E islam kitna pyara hai ! Shari'at ke andar kya husn hai k Zindgi guzarne ke itne Behatreen usool bata diye gaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Walden Ki Rok Tok Nagawar Lagti hai:-*
*★_ Aam Tor per dekha gaya hai k Maa'n Baap Aulaad ki Tarbiyat chahte hai'n, Unko Rok Tok karte hai'n, Nojawan Bachcho ko Rok Tok buri lagti hai, Jab Nafs Ke Andar Ananiyat hoti hai to islaah ki Har Baat Bande ko Buri lagti hai, Jo Samjhaye Wohi Dushman Nazar aata hai, To Nojawano ki Theory bhi Ajeeb hai,*
*★_ Maa'n Baap Bachcho ke Mohsin hote hai'n, Wo unko Achchhi Baato per Rok Tok rahe hote hai'n Magar ye us Baat ko Samajh nahi rahe hote, Lihaza Rok Tok se Dil ka Tang hona ye intehayi buri Baat hai, Rok Tok ko Apne Liye behtar Samajhna chahiye, Nojawan Bachche Ye Samjhe k Shukr hai hamare Qareeb koi to esa hai jo hume Galti hone se pehle ( usse ) bacha leta hai,*
*★_ Har Bande ko Tajurbaat Karne ki zarurat nahi, Zindgi ke Nafa v Nuqsan ke Tajurbe har kisi ko karne pade'n to Musibato se guzarna pad jaye, Zillate uthani pad jaye'n, Pareshaniya'n Sar per khadi rahe'n, isliye Har Ek ko Nafa v Nuqsan ke Tajurbe karne ki zarurat nahi, Maa'n Baap ne Dhoop me Baal Safed nahi kiye hote, Zindgi ke Jo Tajurbe wo kar Chuke hai'n, Aulaad ko Chahiye k unse fayda uthaye, Maa'n Baap ki Baat ka Lihaaz rakhe, isliye Maa'n Baap ki Baat ko Sunna Achchhi Aadat hai aur unki Baat ko darmiyan me kaat dena intehayi buri Baat hai,*
*★_ Ab Yaha'n Tahammul Mizaaji kaam aati hai, Maa'n Baap Aqalmandi ke Saath Bachche ko deal kare'n, Na usme Ahsaas E Bartari paida hone de'n aur Na usme Ahsaas E Kamtari paida hone de'n, Chu'nki Umr Esi hai k foran gussa aata hai aur Nojawan Bachcho ko jab Gussa aata hai to lagta hai k koi Sailaab aa gaya hai, us Waqt Juda hone ki baat karte hai'n, Bas Marne Maarne per Tul jate hai'n, Unka Gussa unke Control me hi nahi hota,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bachcho Ki Nasho Numa ( Parwarish ) me Bado ka Kirdaar:-*
*★_ Ab Jo Nojawan Bachcho se ye puchha jaye k Aapko kisne paal pos kar bada kiya ? Jawab milega : Maa'n Baap ne, Bha'i Maa'n Baap ke saath bade Behan Bhaiyo'n ka bhi to hissa hai, Unhone bhi to Maa'n Baap ka Saath diya, Chhote hote hai'n to Badi Behan Maa'n Ki tarah uska Khayal rakhti hai, Jo Qareebi Rishtedar hote hai'n, Wo Moral Support dete hai'n, Khala, Fufi aur is qism ke jo bhi Rishte hote hai'n Unki Moral Support hoti hai, Bachche Khud Ba Khud to pal kar Jawan nahi ho jate, unke Bade aur Jawan hone me Qareeb ke Logo'n ka hissa hota hai,*
*★_ To jab chhote they aur har kaam me doosre ke Mohtaj they, Tab Aakhir kisi ne to Tumhara khayal rakha, Tumhari Maa'n Raato ko jaagti thi, Usne Bachpan me Wiladat ke baad jaag kar Ka'i Raate guzari, k Saal do Saal tak Bachche Aam tor per Raato ko jaagte hai'n, Rote hai'n, Maa'n Thaki Hui bhi ho to Usko Bachche ki khatir jaagna padta hai, aur Jo Chhote Bachche hote hai'n Unki to humne Ajeeb aadat dekhi, Allah ke Fazal se poora Din wo Sote hai'n aur jab Raat Maa'n Baap ke Sone ka Waqt aata hai, us Waqt wo jaagte hai'n,*
*★_ To Maa'n Baap ne bhi Aakhir jaag kar Zindgi ki Raate guzari, Pehle Bachche ko khilaya, Baad me Maa'n ne khaya, Pehle Bachche ko pilaya Baad me Maa'n ne Piya, Pehle Bachche ko Sulaya aur Baad me Maa'n ja kar soyi, Kitni uski Qurbani thi ! To Aakhir us Qurbani ka koi Return Chahiye tha ? Kya itna bhi us Maa'n ka Haq nahi k Wo To jawan Bachche ko koi Baat Samjhaye to ye uski Baat ko Tasalli se Sun le ? Aaj ke Nojawan to Bas Maa'n ko Allah Miya'n ki Gaay hona Samajhte hai'n, Lihaaz hi nahi karte,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Walden Ke bare me Shari'at ka Hukm :-*
*★_ Aaiye dekhiye ! Shari'at ne kya kaha, Qur'an Azeemush Shaan me Allah Rabbul izzat irshad farmate hai'n - (وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا) k Tum Maa'n Baap ke Saath Husne Sulook ka maamla karo _, Maa'n Baap dono ke Saath Achchha Sulook karo _,*
*★_ Ek Sahabi ne Nabi ﷺ se puchha k Mai'n kiske Saath Husne Sulook karu'n ? Farmaya - Maa'n ke Saath, fir puchha- kiske Saath? Farmaya - Maa'n ke Saath, Teesri martaba puchha kiske Saath? Farmaya - Maa'n ke Saath, Chothi martaba puchha to farmaya- Haa'n Baap ke Saath bhi Husne Sulook karo _,*
*★_ To is Hadees Paak se ye Matlab nikla k Baap ke Saath bhi Husne Sulook karna hai magar Maa'n ka usse bhi zyada khayal rakhna hai, isliye k Maa'n ne Takleef zyada uthayi hoti hai, Ek Saal to usne Pet me uthaya hota hai, Fir uske baad Do Saal usne God me uthaya hota hai, Har Waqt Bachche hi me Masroof hoti hai, 24 Ghante ki Khadima , koi Duty thodi hoti hai k 8 ghante me Bachche ko Ateend karungi aur fir Duty khatm, Nahi ! Maa'n Baap ke To 24 Ghante uske liye Waqf hote hai'n,*
*★_ Balki pehle Waqto me jab Aaj kal ke Diaper nahi hote they aur Bachche Raat ko Sardi ke Mausam me Soye hue Apne Bistar per peshab kar dete they to humne Esi misaale bhi Suni k Maa'n Bachche ko Khushk Bistar per lita deti aur Geele Bistar per khud let jati thi, Allahu Akbar Kabeera,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Ek Maa'n Ka Mujahida:-*
*★_ Hamare Qareebi Rishtedaro me Ek Ladki ne Niyat kar li k Allah ne Mujhe Beta diya hai Mai'n isko Hamesha Ba Wazu Doodh pilaungi, Allahu Akbar Kabeera ! Humne Jo usko dekha itna Mujahida, itna Mujahida! Hairan reh gaye, ab Har Waqt to Wazu nahi rehta, Chalo din me to guzara ho jata hai, Sardi Ki Sakht Thandi Raato me Bachche ko Doodh pilaya aur Pila kar Wo bechari Leti to Paan'ch minute uski Aa'nkh lagi k Bachcha fir Rone Laga,*
*★_ Ab Garam Bistar me se uth kar Wo jati aur Bathroom me Wazu kar ke fir aa kar Doodh pilati, Fir Bachche ko feed deti aur Abhi Aadha ghanta Bachcha nahi Soya tha k fir Rona Shuru kar diya, Allah ki Shaan k Us Bachchi ko fir Wazu ke liye Jana pada, Ek Ek Raat me wo bhi 15-15 dafa ja kar Wazu kar ke aati,*
*★_ Socho ! Wo Maa'n Raat ko kya soti hogi ? Isi Tarah Safar me Bachche ke liye Wazu ka Qaa'im rakhna kitna Mushkil kaam hai, kis kis Jatan se Usne Apne us Bete Ko Doodh pilaya, yahi Soch Soch kar mujhe Hairat hoti hai aur Dil kehta hai k Waqa'i Allah Rabbul izzat ne jo Maa'n ka ye Muqam bataya, Ye is Maa'n ka Haq banta hai,*
*®_ Hazrat Maulana Peer Zulfiqar Naqshbandi Da.Ba._,*
╥────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻 WhatsApp Channel Follow Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments