┯━══◑━═━┉─◑━═━━══┯
*●• GHARELU JHAGDO SE NIJAAT •●*
*●•(MIYA'N BIVI KE JHAGDE) •●*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Miya'n Bivi Ka Talluq Ghar Ki Buniyad hai:-*
*★_ Hamare Gharo se, Mahol aur Mu'ashre se Ye Ladayi Jhagde kaise khatm ho'n, in Ladayi Jhagdo me Ek Bada Role Miya'n Bivi ke Ladayi Jhagdo ka hota hai, Miya'n Bivi dono mil kar Ek Ghar bante hai'n, Agar unke Aapas ke Darmiyan me bhi Ladayi Jhagde shuru ho jaye'n to goya Ye Ghar ke Be Abaad hone ki Nishani hoti hai, Miya'n Bivi ka Talluq koi Kachcha Dhaga nahi hai Ek Gehra Rishta hai, Allah Ta'ala farmate hai'n- ( Aur Unhone Tumse Pakka Ahad liya hai ) isliye Qur'an Majeed ne Bivi ko Karwat Ka Saathi kaha hai, Ye Zindgi bhar ka Saath hota hai,*
*★_ Miya'n aur Bivi dono ko Samajhdari se Kaam lena chahiye aur Muhabbat v Pyar ki Zindgi guzaar kar Shaitan Ko isme Dakhal Andazi ka moqa hi nahi dena chahiye, Einte Judti hai'n to Makan ban jate hai'n, Dil Judte hai'n To Ghar Abaad ho jate hai'n, Ye Zimmedari Khawind ki bhi hoti hai aur Bivi ki bhi hoti hai k Dono Ek Doosre ke Saath Muhabbat aur Pyar se kaam le'n,*
*★_ Ye Usool Yaad Rakhe'n! Jaha'n Muhabbat moti hoti hai Waha'n aib patle hote hai'n aur Jaha'n Muhabbat Patli hoti hai Waha'n aib mote hote hai'n, isliye Shari'at ne Nikaah ke baad Muhabbat ko Ajr aur Sawab ka Zariya bataya hai, Chuna'che Miya'n Bivi Aapas me Jitni Muhabbat karenge, Jitna Pyar karenge Utna hi Allah Rabbul izzat unse Raazi ho'nge, Ek Hadees Mubarak me aaya hai k "Jab Bivi Apne Khawind ko dekh kar Muskurati hai aur Khawind Apni Bivi ko dekh kar Muskurata hai to Allah Rabbul izzat in dono ko dekh kar Muskurate hai'n _,"*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Shadi Ka Maqsad:-*
*★_ Irshad E Baari Ta'ala hai :- ( Surah Rom -21) Allah Ta'ala Ki Nishaniyo me se ye hai k Usne Tumme se Tumhare liye Joda banaya, Taaki Tum unse Sukoon Haasil kar Sako aur Tumhare Darmiyan muwaddat v Rehmat rakh di, Beshak isme Nishaniya'n hai Aql Walo ke Liye _,"*
*★_ To Maloom hua k Shaadi ka Maqsad ye hai k Sukoon Haasil ho aur Jaha'n Aap dekhe'n k Miya'n Bivi ki Zindgi me Sukoon nahi har Waqt Ka Jhagda aur Cheekh cheekh hai, Har Waqt Jali Kati baate Ek Doosre ko karte rehte hai'n, Bahas Mubahisa me uljhe rehte hai'n, Samajh le'n k Kahi'n na Kahi'n Daal me kala hai, Bivi ki Taraf se Kotaahi hai ya Miya'n ki Taraf se Kotaahi hai aur Aam tor per hamara Tajurba yahi hai k Dono Taraf se Kotaahi hoti hai,*
*★_ Ek Usooli baat yaad Rakhe'n! Allah Rabbul izzat ne Qur'an Majeed me Shaadi ka Maqsad bataya "Taaki Tum Apni Bivi se Sukoon pao" Jo bhi apne Khawind ke liye Sukoon ka Sabab banegi Wo Apne Ghar me Hansi Khushi zindgi guzaregi aur Jo Khawind ki Pareshani ka Sabab banegi Wo khud bhi pareshani uthayegi, isliye k Ghar basana Aurat ke Akhtyar me hota hai,*
*★_ Hamare Bade kaha karte they k Mard Agar Kassi le kar Ghar ko girana chahe to Wo Nahi gira Sakta, Aurat Su'i le kar Ghar ko girane lage to Mard se pehle gira liya karti hai, isliye Aurat Ko Ghar Wali kaha jata hai, Ghar ka Basana Aurat ke Ouper munhasir hai _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khawind se Muhabbat Ka Rishta Mazboot Kare'n:-*
*★_ Yaad rakhiye ! Khoobsurat, Taleem Yafta aur Maldaar Bivi ko bhi Khawind ke Dil ki Malika banne ke Liye Samajhdari se kaam karna padta hai, Lihaza Zindgi ke is Safar me Ek Doosre Ke Saath Muhabbat ka Rishta Mazboot Kare'n, Bivi Ko Chahiye k Wo Khawind Ko Yaqeen Dahani karwaye, Sirf Muhabbat Ka izhaar zaroori nahi, Usko Mehsoos bhi karwaye k Waqa'i Bivi Mujhse Muhabbat karti hai, Khawind Ke Saamne Sard Mehri dikhana jhagde ki Buniyad hota hai, Shaitaan bhi kitna Makkaar hai k Jab Bivi Khawind ke Paas Hoti hai to us Par Ajeeb Sharm v Haya Taari Kar deta hai aur Jab Mehfil me bethi hoti hai to fir unke Saamne Khilkhila kar Ha'ns rahi hoti hai,*
*★_ To ye Zahan me rakhe'n k Shari'at ne Jaha'n Muhabbat ka izhaar karne ke Liye kaha Waha'n Muhabbat ka izhaar karna bhi Sawab hota hai, Ka'i jagaho per humne Jhagdo ki Buniyad hi ye dekhi, Khawind Pyar bhi karta hai aur Muhabbat Ka izhaar bhi karta hai aur Bivi Apne Dil Dil me khush bhi hai lekin izhaar Ese karti hai k Jese use koi Farq nahi padta, izhaar ese karti hai k jese mujhe Uski Koi Zarurat hi Nahi, Ye itna bada Blunder ( Bhool) hai k isse bada Blunder Aurat apni Zindgi me nahi kar Sakti,*
*★_ Muhabbat ka Jawab Hamesha Muhabbat se dena chahiye, Jab Khawind chahta hai k Bivi Muhabbat ka izhaar kare to Bivi ke Liye to ye Sunehri Moqa hai, Esi baat kahe, Ese Alfaaz se kahe k Khawind ka Dil Baag Baag ho jaye,*
*★_ Aap Zara Sochiye! K ummul Momineen Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha Nabi ﷺ se Apni Muhabbat ka Barmala izhaar farmati thi, Chuna'che Baat Cheet ke dauran Ek martaba Nabi ﷺ ne farmaya - Ayesha ! Aap mujhe Makkhan aur Khajoor ko mila kar Khane se bhi zyada Margoob ho, Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Muskurayi aur Foran jawab me kaha- Ey Allah ke Habeeb ﷺ ! Aap mujhe Makkhan aur Shehad ko mila kar Khane se bhi zyada Margoob hai'n, Nabi ﷺ muskura pade aur farmaya- Ayesha Tera jawab bahut behtar hai _,*
*★_ Ab dekhiye! Khawind ne jo baat kahi, Bivi ne Ek Qadam aage badh kar baat ki, Khawind se Muhabbat ka izhaar nahi karengi to kiske Saath karengi ? Insaan ki Fitrat hai k jab Wo kisi se Muhabbat karta hai to Muhabbat izhaar chahti hai, Yaad Rakhe'n ! Ishq aur Mushq chhupe nahi reh sakte hamesha izhaar maangte hai'n, Jaha'n bhi ho'nge ye Apne Aapko Zaahir kiye bager nahi rahenge, isi Tarah Bivi jab Khawind se Muhabbat karti hai to ye Sochna k Agar Mai'n Muhabbat ka izhaar kar dungi to Khawind ki nazar me gir jaungi Ye baat Bahut badi galti hai,*
*★_ Kaise Mumkin hai k Ek Banda Apne Qaul se aur Fail se Muhabbat ka izhaar kar raha ho aur Doosre Bande ki Nazar me uski Qadr Kam ho rahi ho ? Haa'n Jab Khawind chahta hai k Bivi Muhabbat ka izhaar kare aur Bivi Ese ban kar rahe k Jese Wo to Bilkul Thande Barf wale Dil ki Manind hai, Ye Aurat apna Ghar barbaad karne ki khud koshish kar rahi hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha Ka izha re Muhabbat:-*
*★_ Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne Nabi Kareem ﷺ ki Muhabbat me Ash'aar banaye aur ye Unke Shayr bade Mash'hoor hai'n k Jab Nabi Kareem ﷺ isha ke baad Sahaba Ki Majlis se Faarig ho kar Ghar Tashreef laate they to Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k Nabi ﷺ Muskurate chehre ke Saath aate they, Salam Karte they us Waqt Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Nabi ﷺ ko Ye Shayr Sunati thi'n, Farmati thi't- (Tarjuma):-*
*"_ Ey Aasmaan Ek Tera bhi Suraj hai aur Ek Hamara bhi Suraj hai aur Mera Suraj Aasmaan ke Suraj se bahut Behtar hai, isliye k Aasmaan ka Suraj to Fajar ke baad Tulu hota hai aur Mera Suraj to mere Ghar me isha ke baad Tulu hota hai,*
*★_ Ab Sochiye k Bivi Agar in Alfaaz se Khawind ka istaqbal kare to Khawind ke Dil me kis qadar Bivi ki Muhabbat aayegi, Koi hai Aap me se Esi Bivi k Jisne kabhi Khawind ki Muhabbat me Ese Ash'aar kahe ho Ya koi Fikra hi esa bol diya ho, Aurat ye Samajh leti hai k Bas Khawind ki hi Zimmedari hai k Wo izhaar kare aur Apne Aapko Samajhti hai k Mai'n Jitna izhaar nahi karungi itni badi Mehbooba banungi, Ye Bahut badi Galat Fehmi hai, Taali Do haath se bajti hai Chahiye ye k Muhabbat ka Achchhe Andaz se izhaar Kiya jaye, Amal se bhi Qaul se bhi aur Fail se bhi,*
*★_ Chuna'che Jab Khawind Muhabbat ka izhaar kare to Bivi bhi jawab me Muhabbat ka izhaar zaroor kare, Ese Alfaaz se k Khawind ka Dil Mutma'in ho jaye k Meri Bivi mujhe hi chahti hai, Bivi ko ese zindgi guzarni chahiye k Khawind ko Yaqeen Dahani karaye k Aap hi se Muhabbat karti hu'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Apni Khushi per Khawind Ki Khushi Ko Tarjeeh de'n:-*
*★_ Doosri Aam Tor per Galti ye k Apni Khushi per Khawind ki Khushi ko Tarjeeh dena, Isko ye Fikr lagi rahe k Khawind ka Dil usse khush rahe, Ye nahi k bas Har Waqt Mujhe hi khush rehna hai, Khawind ki Khushi ka bhi khayal rakhe'n, Uska Dil khush hoga to Ghar ki Zimmedariyo ko bhi Qubool karega, Uski Tavajjo ka itlaaq bahar ki bajaye Apna Ghar ban jayega, Kyu'n ? Isliye k ye Samajhta hoga k Ghar Ja kar mujhe Sukoon milega,*
*★_ Khawind ki marzi ke khilaaf koi kaam na kare, Ka'i dafa dekha k Khawind Ek baat se mana karta hai, Bivi Suni Ansuni kar deti hai aur Fir Wohi kaam karti hai, Jab mana karne ke bavjood fir Wohi kaam kiya jaye to ye Cheez jhagde ka Sabab banti hai aur jhagda na bhi ho to Dil me Mel aane ka Sabab zaroor ban jati hai,*
*★_ Khawind Koi kaam kahe to Zimmedari se karo, Ek Teeasri baat k Agar Khawind koi kaam Zimme lagaye use is tarah karo k Khawind befikar ho jaye, Ye nahi k jo kaam usne Zimme lagaya usko to kiya nahi aur Doosre kaamo me lagi rahi, Misaal ke Tor per Khawind ko Subeh daftar jana hota hai, Us Waqt Khawind ke Kapde Tayyar ho, Uska khana Tayyar ho, Ye Bivi ki zimmedari hai, Ab Khawind ke Daftar ka Waqt ho gaya aur Bivi ne Abhi kapde hi nahi nikale, kyu nahi nikale ? ji Mai'n So kar hi der se uthi hu'n, To ye Cheez uljhan ka Sabab banegi, Apni Zimmedari ko mehsoos kare'n k Mujhe is moqe per kya karna hai, Sone ka, Jaagne ka kuchh usool hona chahiye,*
*★_ Kuchh Awqaat ese Hote Hai'n k Aurat ko Apne Haath se kaam karna padta hai, Khawind ke liye ye Samajh lena k khud hi kapde nikaal lega aur Tayyar ho kar Daftar me chala jayega aur is Waqt meri Neend me khalal nahi aana chahiye, Ye intehayi bewaqoofo Wali baat hai, Ye Zindgi ki Saathi hai, Ise Apni khidmat ke Zariye Khawind ka Dil Jeetna chahiye, Chuna'che Agar Khawind koi bhi kaam Zimme lagaye to use Farze Mansabi Samjhe,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Farma'ish Karte Hue Mard Ki Gunza'ish Ko dekhna Chahiye:-*
*★_ Ye bhi dekha gaya hai k Basa Awqaat Aurat Mard Ki Gunza'ish se badi Farma'ish kar deti hai, To Farma'ish karte hue Khawind ki Gunza'ish bhi dekha karo ! Ab Agar Khawind Afford hi nahi kar sakta aur Aapne Zid kar ke Agar Kapde Khareed bhi liye to Pahan kar Khawind ko Aap Khush kaise kar Sakti hai'n? Uska Dil Agar Dukhi hoga to Aap Naye Kapde le kar Uski Muhabbat me koi izafa nahi karengi, To ye Usool ki Baat Yaad Rakhe'n k Farma'ish Hamesha Gunza'ish ke Mutabiq honi chahiye,*
*★_ Khawind Ki ata per Shukriya ada Kare'n, Aapki Farma'ish ko Agar Khawind poora kar de to Aap uska Shukriya bhi ada Kare'n, Ye bhi dekha gaya k Khawind Bivi ki Har Jaa'iz Zarurat ko poora karte hai'n aur Jawab me Bivi ki Zubaan se Shukriya ka Lafz hi nahi nikalta, Kyu'n nahi nikalta ? Allah jane, Ye badi badi Galtiya'n hai'n Jo Zaahir me Chhoti Nazar aati hai magar Dilo me Farq daal deti hai'n,*
*★_ Khawind Tohfa laya, Phal khareed kar laya, Khaas Tor per koi cheez Apni Bivi ke liye laya aur Bivi uski Taraf koi Tavajjo hi na de, Ese Samjhe k Haa'n Theek hai aa gayi hai Koi Baat nahi, To is Tarah Agar be parwahi ka izhaar karengi to Khawind ke Dil Per iski Chot lagegi, Jab Khawind Tohfa laye to Aap usko uski Ahmiyat ka Ahsaas dilaye'n aur Khushi ka izhaar kare'n Taaki Agli dafa usse behtar Tohfa ki mustahiq ban sake'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Khawind Ke aate hi Ghar ka Rona Dhona na le kar Beth jaye'n:-*
*★_ Ye bhi Zehan me rakhe'n k Khawind Jese Hi Ghar me aaye Foran Uske Saamne Rona Dhona na le kar Beth jaye'n, Pehle usse Baat Cheet kar ke ye puchhe k bahar ka uska Waqt kaise Guzra, Wo khush Ghar aaya hai ya kisi baat ki vajah se Pareshan Ghar aaya hai, Ye Baat to Maloom nahi karti bas Khawind ko dekhti hai'n to Apna Rona Rone Beth jati Hai'n,*
*★_ Pehle Aap usse Baat Cheet kare'n, iska Andaza lagaye'n k Khawind bahar se kis Kaifiyat ke Saath aaya hai ? Koi Karobari pareshani, Kisi Aadmi ne Kisi Maamle me Zehni tor per Pareshan to nahi Kar diya, Usko Gussa to nahi dila diya, Khawind Agar Bahar hi se kisi Pareshani ke Aalam me aaya hai to Ab Bivi ko Chahiye k pehle Uske Dil ko khush kare, Usse mithi mithi Pyar Wali Baate kar ke Uske Mood ko normal kare, Fir uske baad Jo kehna hai kahe,*
*★_ Lekin Khawind per Nazar padte hi Shikwe Shikayate karne Beth Jana, Tumhari Ammi ne ye keh diya, Tumhari Behan ne Ye kar diya, Mai'n to is Ghar me aa kar Pareshan ho gayi, Tum mujhe kin Musibato ke Palle daal kar chale gaye, is Qism ki baate to use aur zyada pareshan karne wali Baat hai, Ye Zehan me rakhe'n moqe ki baat Sone ki Daliyo ke manind hoti hai aur Be Moqa Baat jhagde ka Sabab ban jati hai, Agar kisi Waqt Aapka Khawind Gussa me hai to Fir uske Saamne bilkul Narm ho jaye'n, itni Nafsiyaat har Bivi ko Samajhni chahiye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Jab Khawind Gusse me ho to Bivi Narm ho Jaye:-*
*★_ Rassi Ka Ek Sira Agar Koi Dheela chhod de aur Doosra Khee'nche to Rassi Kabhi nahi Tootti, Rassi Tabhi Tootti hai Jab Ek Sira Ek Banda Kheenchta hai aur Doosra Sira Doosra Banda Kheenchna Shuru kar deta hai, Ab Khawind kisi Waqt Gusse me hai aur Jawab me Bivi Sahiba ne bhi Mood bana liya, Ye Muhaaz Jung kholne wali baat ho gayi na !*
*★_ isliye Agar Khawind Gusse me hai To Aap Narm ho jaye'n aur Agar Khawind Naraaz hai to Aap usko Raazi karne ki Koshish kare'n, Muhabbat ke Ek bol se Khawind Raazi ho jata hai, Rootha hua Khawind Muskura padta hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Samajhdari se Kaam le'n:-*
*★_ Faqat Ye Baat k Mai'n Khoobsurat hu'n kaafi nahi Hoti, Khawind ko Khush karne ke Liye chhalakte hue Damakte hue Husn ki Zarurat nahi hoti, Samajhdari ki Zarurat hoti hai, isliye Kitni Esi Aurte'n hai'n Jo Shakl ki Normal si hoti hai'n magar Apne Khawind ke Dil Per Raaj karti hai'n, isliye Buzurgo ne maqula banaya- Wohi Suhagan Jise Piya Chahe, Wohi Suhagan hoti hai Jise Khawind pasand karta hai,*
*★_ Kya Ajeeb baat hai k Ladki ki Shakl Sirf Ek Walima ke Din Log dekhte hai'n aur Baqi Saari Umr uski Aqal dekhi jati hai aur Ladki Ko Pasand Karte hue Baaz dafa Saas Sahiba uski Aqal dekhti hi nahi, Faqat Shakl per hi Lattu ho Jati hai'n aur Ka'i dafa Khawind Sahab hi Shakl per Lattu ho jate hai'n, Maa'n Baap bhi Samjhate hai'n k Nahi Teri Shaadi uske Saath Theek Nahi,*
*★_ Nojawan Zid kar lete hai'n k Nahi mujhe To uske Saath hi Shaadi karni hai, isliye k Kahi'n Ek Nazar dekhi aur Zaahir ki Shakl dekh kar Wo Achchhi lag gayi, Ab Maa'n Baap ko Bahut Majboor kar ke Waha'n Shaadi karwate hai'n aur jab Wo Ghar aati hai to Fir insaan ko us Waqt uski Haqeeqat ka pata chalta hai k itni khoobsurat Shakl ke Andar Aqal ki to Ratti bhi nahi thi,*
*★_ To jab Saari Zindgi Aqal ne kaam aana hai fir usko kyu nahi dekhte, isliye Samajhdari Aqalmandi Ghar Aabaad karne ki Buniyadi Vajah hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Husne intezam aur Saliqa Sha'ari Se Kaam le'n:-*
*★_ Aurat Ko Chahiye k Wo Husne intezam ke Zariye Apne Ghar ko pur Waqar bana de, Jitni Aurat Aqalmand hogi utni hi Wo Apne Ghar ke Andar Har cheez Tarteeb se Rakhegi, Be Tarteeb Cheeze faila dena, Ghar ko Ganda rakhna, Bachcho ko Ganda rakhna, Khud bhi Gandi bani rehna, is Cheez ka Ghar barbaad karne me ek bahut bada hissa hota hai,*
*★_ Ghar ki Safayi ke Liye koi Qeemat bhi kharch nahi karni padti, Haa'n Waqt Nikaal le'n, Ghar ko bhi Saaf rakhe'n, Apne Bachcho ko bhi Saaf Suthra rakhe'n, Safayi Aadha imaan hai, Jab Shari'at keh rahi hai k Safayi Aadha imaan hai to hume bhi Safayi se muhabbat honi chahiye,*
*★_ Duniya ka koi insaan Esa nahi jo kahe k mujhe Saaf Suthra Ghar Achchha nahi lagta, Mujhe Saaf Suthra Bachcha Achchha Nahi lagta, Ye kese mumkin hai ! Allah Ta'ala ne insaan ki Fitrat hi Esi banayi hai k Saaf Suthra mahol, Saaf Suthre Bachche, Saaf Suthri Bivi Hamesha uske Dil ko Apni Taraf Mutavajjah karti hai aur Saaf Suthra rehne ke liye koi bahut Qeemti Libaas ki bhi zarurat nahi, Ek Aam Qeemat ka Libaas bhi Agar Aurat pehne Lekin Saaf Suthra ho aur Uski Banawat Agar Pur Kashish ho to wo Khawind ke Dil ko Apni Taraf Mutavajjah kar Sakta hai, isko Husne intezam kehte hai'n,*
*★_ To Apne Husne intezam se Apne Ghar ke Mahol ko Pur Waqar banaye'n aur Kifayat Sha'ari dikhaye'n, Agar Husne intezam Nahi hoga to Bad Nazmi se be Barkati hoti hai, Kaam ulajhte hai'n, Waqt Zaaya hota hai, Cheeze kharaab ho jati hai'n, Nuqsan bhi zyada hota hai, Har Cheez ko Apni jagah per rakhna, Waqt per Saaf kar dena Ye Achchhi Aadat hoti hai, To Aurat isko Apni Zimmedari Samjhe,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khawind Ke Saath Zid Baazi na kare'n:-*
*★_ Ye bhi Zehan me rakhe'n k Taabe Farman Aurte'n bil Aakhir Apne Khawind ko Apna Taabe Daar bana leti Hai'n, Wo Aurte'n jo Khawind ki Marzi ko poora karne ki koshish me lagi rehti hai'n, Ek Waqt Esa aata hai k Khawind ke Dil me unke Liye itni Muhabbat hoti hai k fir Khawind unki Har Marzi ko poora kar dikhata hai,*
*★_ Farma bardari, khidmat guzari, Wo Achchhi Sifaat hai'n k Jinki vajah se Aurat Apne Khawind ke Dil ki Malika ban Sakti hai, usme Jo Rukawat banti hai wo Ananiyat hai, Zid Baazi hai, Saari Duniya se zid kar lo itna Nuqsan nahi pahu'nchega Jitna Khawind ke Saath Zid Baazi ka Nuqsan hota hai,*
*★_ To Khawind ke Saath Zid kar ke Dangal ka Elaan na kare'n, Anjaam Hamesha iska Burayi hota hai, Aajizi Allah Rabbul izzat ko bhi pasand hai aur Aajizi insaan ke Masa'il ka hal bhi hai, Koi kaam Waqt par na kar Saki, Kotaahi reh gayi, Kami reh gayi Sorry kar lene me kya Rukawat hai? Maafi maang lene me kya Rukawat hai? Galti maan lene me kya Rukawat hai? Aage se zid kar lena, Ana ka masla bana lena, jhagda kar bethna, Bahas kar bethna ye Cheez fir insaan ke liye pareshaniyo'n ka Sabab banti hai ,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Gusse me aaye Khawind Ko Daleel mat de'n:-*
*★_ Kabhi bhi Gusse me aaye hue Khawind ke Saamne Logic ( Daleel ) mat de'n, Kabhi bhi Gusse me aaye hue Khawind ko Taana mat de'n, Ye to Aag ke Ouper Tel daalne Wali Baat hai balki Petrol daalne Wali Baat hai, Shaitan Mardood yahi to Chahta hai k Khawind Gusse me pehle hi hai, ye Usko aur Gussa dilaye aur Khawind Zubaan se Talaaq ka Lafz nikale,*
*★_ To ye Zahan me rakhe'n k jab Bil Farz bila vajah hi Khawind Naraaz ho gaya to Gusse ki haalat me kabhi uske Saamne Logic nahi deni, Khamoshi Akhtyar karni hai, Agar Bolna hai to Naram bol bolna hai, dekhna hai to Muhabbat se dekhna hai, Esa k Doosre Bande ka Gussa hi bilkul khatm ho jaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Pur Kashish Libaas Pehne'n :-*
*★_ Libaas Pehno to Pur Kashish pehno ! Pur Kashish ka ye matlab nahi hai k Aadha Jism Nanga ho aur Aadha Jism Dhaa'npa ho, Shari'at Ke Dayre me rehte hue Aurat Esa Libaas pehne k Uske Jism Ke Ouper Pur Kashish lage, Be dhanga Libaas Pehanna, Esa Libaas k Jisko dekh kar Banda zara bhi Mutavajjah na ho, Ye bhi Achchhi Aadat nahi,*
*★_ Baaz Nek Biviya'n Saadgi Ke Naam per Apne Kapdo ki Taraf se bilkul be dhyan ban jati hai'n, Esa Nahi karna chahiye, Khawind Jab bhi Bivi ki Taraf dekhta hai, Wo Use Pur Kashish dekhna chahta hai, aur Jab Uski Bivi Pur Kashish nahi hoti to Saaf Zaahir hai k use Bahar bahut zyada Pur Kashish cheeze Nazar aa jati hai'n, Jo Gandgi use bahar Mutavajjah kar Sakti hai, Kya Wo Achchhayi ban kar use Ghar me Mutavajjah nahi kar sakti ?*
*★_ To Libaas Esa banaye'n k Hamesha Pur Kashish ho, Rasmo Rivaaj ko Saamne na rakhe'n balki Usko Saamne rakhe'n k Ye Libaas mere Jism ko Pur Kashish dikhaye, Mere Jism per Pehna hua Khawind ko Pasand aa jaye,*
╥────────────────────❥
*⊙_ Khawind Se Mukhlis aur Nek Niyat bane :-*
*★_ Ye aur baat hai k Kuchh Aurte'n Esi Hoti Hai'n k Kapde Pehanne se unke Husn me izafa nahi hota balki Wo Jo Kapde Pehan leti Hai'n Un Kapdo ke Husn me izafa ho jata hai, Unke Chehre per Masoomiyat Hoti hai, Unke Chehro per Taqwe ka Noor hota hai, Fir unka Libaas Jab wo Pehan leti Hai'n to Wo Khud hi Khoobsurat Nazar aane Lag jata hai,*
*★_ To Aurat ko Chahiye k Dil ki Masoomiyat se Apne Khawind ka Dil jeet le'n, Ye Dil ki Masoomiyat har Khawind ko Achchhi lagti hai aur Jab Khawind ka Dil Ye Samajhta hai k Meri Bivi Dil se bahut Masoom hai, inteha Darje ki Mukhlis hai To Esi Bivi ko Wo Hamesha Apni Aa'nkh Ki Putli bana ke Rakhta hai, Jhooti Aurat, Keena Parwar Aurat, Dhoka dene Wali, Khawind ko Miss Guide ( Gumrah) karne Wali Aurat Hamesha Apna Ghar barbaad karwa Beth ti hai,*
*★_ Khawind ke Saath kabhi Jhoot ka maamla na barte'n, Jis Bande ke Saath kabhi Ek Do Ghante ke liye Mulaqaat hai Uske Saamne to Jhoot chal jata hai aur Jiske Saath 24 Ghante ka Waasta ho uske Saath Jhooth nahi Chalta, Ek Nahi to Do, Do nahi to Teen Din baad kabhi na kabhi jhooth khul hi jata hai,*
*★_ Aur Jab Khawind ko ye Ahsaas ho jaye k Bivi mere Saamne Jhooth bolti hai to Fir Bivi ka Muqam Khawind ki Nazar me gir jata hai, isliye Jhooth bolna, Khawind ke bare me Dil me Nafrat aur Keena rakhna, Ye Aurat ki Galtiyo'n me Se Ek Badi Galti hoti hai, Balki jitni Nek Aap ho'ngi Uska Asar Aapke Khawind ke Dil per padega,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bahar Ghoomne Firne Ki Aadat na dale'n:-*
*★_ Ek aur Baat Jo Jhagde Ki Vajah banti hai wo Bahar Ghoomne ki Aadat hai, Aam tor per Mard Aurto'n ko Ghoomne ki Aadat daalte hai'n aur Ka'i martaba ye Aadat Aurto'n ko Maa'n Baap ke Ghar se hi padi hoti hai bahar Ghoomne ki, Ye bahar Ghoomna Azwaaji (Shadi Shuda) Zindgi ke liye Bahut Zyada Nuqsan dah hai, iski Kya Vajah hai ?*
*★_ iski Vajah ye hai k Aurat jab bahar Nikalti hai to Shaitan Taak Jhaa'nk karne Walo ko bhi Saath laga deta hai, Ab Do qism ki Musibate Saamne aayi'n, Bahar ke Mard Ho'nge jo us Aurat ki Taak Jhaa'nk me lagenge aur Kisi ko uski Shakl Achchhi lag gayi to Wo uska Ata pata karega, usko message karne ki koshish karega aur Khwah mKhwah uska Ghar barbaad karega aur Khawind ki Nazar kisi Gair per pad gayi to Khawind Apni Bivi ki bajaye uske Saath Attach zyada ho jayega,*
*★_ To Miya'n Bivi ka ye Sochna k Aao Ghoomte Firte hai'n, Ye Firangiyo'n ki Tarz hai, Firangiyo'n ka Tareeqa hai, isliye humne to iska Anjaam Hamesha bura hi dekha hai, Aurte'n agar Apne Khawind ke Saath bahar jana chahti hai'n to kisi Park me Jana ya kisi Esi jagah per jana Jaha'n per Aam majma na ho bilkul theek hai, Magar Ghar ki bajaye Chalo ! Pizza Hut per ja kar khana kha kar aate Hai'n, Achchha Bhai ! Aaj hum ja kar Fala'n Hotel per khana khate hai'n, Ye Jo Musibat hai aur Zindgi ki Tarteeb hai ye bahut hi zyada insaan ke Liye Nuqsan dah hai,*
*★_ Ya to Shaitan Bivi ko kisi Gunaah me fa'nsane me kamyaab ho jata hai, Ya Khawind ko kisi Gunaah me fa'nsane me kamyaab ho jata hai, to isliye Public Muqamaat per Ghoomne ki Aadat daalna Ye Aam tor per jhagde ka Sabab banta hai,*
*★_ Yaad Rakhe'n! Achchhi Zindgi guzarne ke liye Agar Khawind ko ghar me hi Chulha Garam mil jaye aur Garam Dil mil jaye to iske Siva usko koi Teesri Cheez nahi Chahiye hoti, Aap Ghar me hi usko Achchhe Khane bana kar de'n aur Ghar me hi usko Apne Dil ki garmi ka Ahsaas dila de'n k Aap kitni Muhabbat karti hai'n To Fir Khawind ko bahar Ghoomne ki kya zarurat hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khawind se Mulaqat me Uzr na kare'n:-*
*★_ Ye bhi dekha k Ka'i martaba Khawind chahta hai k Bivi se Mulaqat karu'n, milu'n aur Bivi Sahiba ke Uzr hi khatm nahi hote, Ye Cheez jhagde ka Sabab banti hai, Khawind Gusse me ho to usko bhi Aqalmandi se Deal karna chahiye aur Khawind per Shehwat ka Bhoot Sawar ho to Uske Saath bhi Aqalmandi ka maamla karna chahiye, Jese bhi ho Uske Nashe ko utaro,*
*★_ Shari'at ne to Yaha'n Tak bhi kaha k Aurat Agar Ou'nt ke Ouper Sawar hai aur Khawind ishara kare k niche aao ! Mujhe Tumhari Zarurat hai, To Wo ou'nt se niche utre, Khawind ki Zarurat ko poora kare aur fir ou'nt per dobara chadh kar bethe, Shari'at ne kitne khoobsurat usool hume bata diye, aur Yaha'n to Miya'n Bivi Ek hi Bistar per hai'n aur Bivi ke Bahane nahi khatm hote,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Khawind par Shak na kare'n:-*
*★_ Ek aur Cheez jo Jhagde ka Sabab banti hai wo ye k Khawind kabhi kabhi kaam ki vajah se, Daftar ki vajah se, Deen ke Kaam ki vajah se Ya Dosto'n ki vajah se ghar der se aata hai, To Khawind ke der se aane par ye Shak Dil me rakh lena k bahar uska kisi ke Saath koi Talluq hai, ye intehayi Nuqsandah baat hai, Jab Bivi Khawind ko kisi Ese Gunaah ka Taana de jo usne nahi kiya, To us par Khawind ka Taish me aana ek mard hone ke naate Hamesha bahut zyada hota hai,*
*★_ Kya Bivi ye ilzaam bardasht kar Sakti hai k Khawind usko kahe k Tumhara kisi gair ke Saath Talluq hai, Agar Bivi is baat ko Sun kar Foran Bhadak jati hai k Tumne Ye baat kar kaise di ? To Khawind ka bhi to yahi Maamla hai, Agar Wo der se aaya to der se aane ki to So Vujuhaat hoti hai'n, Wo Dosto'n ke Saath Beth kar gappe maarta raha, khata pita raha, ya Daftar me der lag gayi, Ya kisi Deen ke Kaam me masjid me betha raha, to der se aane ki to bahut si Vujuhaat ho sakti hai'n, Hamesha isse Ek hi Natija nikalna k Ji Khawind der se ghar aata hai, Mujhe to lagta hai Daal me kaala kaala hai,*
*★_ Ye Badgumani Miya'n aur Bivi ke darmiyan Nafrate paida karne ka Sabab ban jati hai, Lihaza bager kisi Thos Saboot ya Gawahi ke Khawind ke Ouper Badgumani na kare'n, Bas Zyada Muhabbat de'n, Taki usko bahar ke bajaye Apne Ghar ke andar Muhabbat mile, Agar Ghar me Aapki jhagda karne ki Aadat ban gayi aur Subeh Aapne Khawind ka na Naashta Tayyar kiya, na kapde diye aur khud hi uth kar usne Apne kapde liye aur pehne aur isi Tarah Ghar se Bhooka chala gaya, To Esa pareshan haal Khawind jab Daftar me jayega aur Waha'n Daftar me kaam karne Wali koi beparda ladki usko ye lafz keh de k Sir Aaj Aap bade pareshan Nazar aate Hai'n, To bas ye Ek Fiqra Khawind ko uski taraf Mutavajjah kar ke rakh dega,*
*★_ Aap usko Ghar se pareshan mat bheje, Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed me farmaya k Khawind Tumse Sukoon paye, Jab Aapne bager Sukoon ke usko Ghar se bhej diya to Buniyadi Galti to Aapne ki,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Roothe Shohar ko manane Ki Koshish kare'n:-*
*★_ Aur Agar Aap Mehsoos kare'n k Shohar Rootha hua hai to Usko manane ki Koshish kare'n, Kabhi bhi Esi Soorat nahi honi chahiye k insaan Ek Doosre ke Saath Narazgi ki haalat me So jaye, Nahi, Jab Tak Ek Doosre se maafi Talafi na kar le'n Sorry na kar le'n, Ek Doosre se Pyar Muhabbat na kar le'n, Kabhi us Waqt Tak mat Soye'n,*
*★_ Gusse ki haalat me jab Ek ka Chehra Ek taraf aur Doosre ka Doosri Taraf ho, To Samajh le'n k Humne Zindgi ke Faasle Tay karne ke liye Mukhtalif Simto ko Qubool kar liya, Esi Aurat jo Naraaz Shohar ki parwah hi nahi karti, Wo Shohar Ki Mojoodgi ke Bavjood Bevgi ki Zindgi Guzarne wali Aurat hoti hai, Ka'i Esi bhi to Aurte'n hoti hai'n na k Jo Shohar ke hote hue bhi Beva hoti hai'n,*
*★_ Ye Esi hi Aurte'n hai'n, Ziddi, Khwah mKhwah Khawind ke Saath Jhagda kar lena, Ye Cheez Zindgi ko Mushkil me daal deti hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Khawind ka Doosro Ki Nazar me Waqar badaye'n:-*
*"_ Aur kabhi kabhi Jhagde ka Sabab ye banta hai k Khawind bura hota hai Magar Bivi uski Burayi ka dhindhora peetna Shuru kar deti hai, Mayke bhi phone kar ke Apni Ammi ko bata rahi hai k kis Musibat me Aapne mujhe daal diya, Saheliyo'n ko bhi phone kar ke bata rahi hai k Mai'n to Musibat me pad gayi, Bachcho ke Saamne bhi Baap ki Burayi kar rahi hai, Uske Moo'nh ke Saamne bhi usko bura kehti hai, Jab Aapne uski Burayi ka itna dhindhora peetna Shuru kar diya to Aap uski Nazar me Kaha'n se Achchhi rahi ? Aapne bhi to Saabit kar diya k Burayi me usne koi kami nahi chhodi,*
*★_ Yaad Rakhe'n! Hamesha Apne Khawind ki Doosro ke Saamne izzat banaye'n, Khawind Aapka Dil dukhaye, Aapko pareshan kare, Magar fir bhi Aapki Aadat ye ho, Aapka khalq ye hona chahiye k Doosro ke Saamne uska Achchha Tazkira kare'n, is Tarah baat kare'n k Doosro ki nazar me Khawind ki izzat aur Maqam badh Jaye, Ye Ghar Aabaad karne ke liye intehayi zaroori hota hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khawind ko faisla kun Position per na le jaye'n:-*
*★_ Ek aur Galti jo Aam tor per jhagde ka Sabab banti hai k Bivi Apne Khawind ko kabhi kabhi Esi position per la kar khada kar deti hai k Jaha'n use Ek ko chhodna padta hai aur Doosre ko rakhna padta hai, Kabhi bhi Apne Khawind ko Esi position per la kar khada mat kare'n k Ya wo Aapko rakhe ya Apni Maa'n ko rakhe, Ya Aapko rakhe ya Apni Behan Ko rakhe, Kyu'n Aapne is position per la kar usko khada kiya ? Wo jis Taraf bhi Qadam badhayega Fasaad hi Fasaad hai,*
*★_ To Esi Soorate Haal per baat ko na laye'n, Hamesha Khawind ki Zimmedariyo ka khayal kare'n, Agar Wo Ek hi Beta hai to Apni Maa'n ko Kaha'n bhej dega ? Aapko uski Maa'n Ke Saath Zindgi Guzarne ke liye mujahida karna hai, Haa'n jab Aap aur Aapke Miya'n Aapas me mil jayenge to Fir Budhi Saas Aap logo'n ko pareshan nahi kar sakegi,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Gair Mard se Tanhayi me Baat na Kare'n:-*
*★_ Ek aur Cheez Jo Jhagde Ka Sabab banti hai Wo hai Kisi Gair Mard ke Saath Tanhayi me Baat karna Ya Phone per Baat karna, Ye Aurat ki itni badi Galti hoti hai k iska Natija hamesha Barbaadi hoti hai,*
*★_ Yaad Rakhe'n ! Mard Aurat ki Har Kotahi ko Bardasht Kar Sakta hai, Uske Kirdaar Ki Burayi ko kabhi Bardasht nahi kar sakta, To Gair Mard ke Saath Guftgu Karne se Ese ghabraye'n jese Bachcha Kisi Sher Ko ya Billi ko dekh kar ghabraya karta hai, is Maamle me Apne Kirdaar Ko Bedaag rakhe'n,*
*★_ Jab Mard ke Dil me Ye Baat hoti hai k Meri Bivi Paak Daaman hai to wo fir uski kadwi kaseli bhi Araam se Bardasht kar jata hai, Aapne dekha nahi hai k Kitni Khoobsurat Ladkiyo'n ko Talaaqe ho jati hai'n, Unka Sabab yahi Musibat Banti hai, Kisi ka Phone aa raha hai, Kisi ke msgs aa rahe hai'n, Kisi se baat ho rahi hai, Khawind ko Zara iska pata chala to bas ye Cheez Miya'n Bivi ke Darmiyan Faasle paida hone ka Sabab ban jati hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Khawind ki ijazat Ke bager Ghar se na nikle'n :-*
*★_ Khawind Ki ijazat Ke bager koi kaam bhi na kiya kare'n aur Khawind ki ijazat ke bager Ghar se bhi na nikla kare'n, Hadees Paak me aata hai - Jo Bivi Apne Khawind ki ijazat ke bager Ghar se bahar Nikalti hai Jab Tak lot kar Nahi aati Allah ke Farishte us Aurat ke Ouper laanat barsate rehte hai'n _,"*
*★_ Aur Ek Hadees Mubaraka me hai:- Aurat ka Khawind agar kisi Jaa'iz baat per Naraaz hua aur Aurat uski parwah nahi karti, uska Khayal hi nahi karti, Jab Tak Mard Naraaz hai, Allah Ta'ala us Aurat ki Namazo ko bhi Qubool nahi farmate, Hadees Paak me Gulam ke bare me bhi aaya hai k Agar koi Gulaam Apne Ghar se bhaag Jaye to jab tak Apbe Malik ke paas waapas na lote Allah uski Namazo ko Qubool nahi farmate,*
*★_ Haqeeqat E Haal ko Samajh kar Deeni Zindgi Guzarenge, to insha Allah ye jhagde hi khatm ho Jayenge, Ye baate to wo thi k Aam Tor per Aurto'n se jo Kotahiya'n ho jati hai'n, Jin Per Miya'n aur Bivi ke darmiyan jhagde hote hai'n, bila ijazat kaam karna ya Bager ijazat Ghar se jana ye badi Galtiyo'n me se Ek Galti hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ek Sahabiya Ki Bemisaal Farmabardari :-*
*★_ Ab Ek Hadees Mubaraka Padh lijiye! Nabi Kareem ﷺ ke Mubarak Zamane me Ek Miya'n Bivi Ouper ki Manzil per rehte they aur Niche ki Manzil per Bivi ke Maa'n Baap rehte they, Khawind Kahi'n Safar per gaya aur usne Bivi ko keh diya k Tumhare pass Zarurat ki har Cheez hai, Tumne Niche nahi utarna, Chuna'che ye keh kar Khawind chala gaya,*
*★_ Allah ki Shaan dekhe'n k Waalid Sahab bimaar ho gaye, Wo Sahabiya Aurat Samajhti thi k Khawind ki ijazat ki Shari'at me kitni Ahmiyat hai, Ab ye nahi k usne Suna Waalid Bimaar hai'n To Wo Niche aa gayi, Nahi ! Usne Apne Khawind ki baat ki Qadr ki aur Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me paigam Pahu'nchaya k Mere Khawind ne mujhe ghar se nikalne se mana kar diya tha ( Usse Raabta bhi mumkin nahi tha us zamane me koi Cell Phone bhi nahi hote they k dobara poochh liya jata ) To Ey Allah ke Nabi ! Kya Ab mujhe niche Jana chahiye? Nabi ﷺ ne farmaya k Nahi, Aapke Khawind ne Chu'nki Aapko mana kar diya to Aap niche na aaye'n,*
*★_ Aap Zara gor kijiye, Nabi Kareem ﷺ khud hi Ye baat farma rahe hai'n k Aap Khawind ki ijazat ke bager niche nahi aaye'n, Chuna'che wo niche nahi aayi, Allah ki Shaan k uske Waalid ki Tabiyat Zyada kharab ho gayi Hattaki Waalid ki Wafaat ho gayi, Jab Waalid ki Wafaat ho gayi to us Sahabiya ne fir Paigam bhijwaya, Ey Allah ke Nabi ! Kya Mai'n Apne Baap ka chehra Aakhri martaba dekh Sakti hu'n, Mere Waalid Duniya se chale gaye, Mere liye kitna bada Sadma hai, Nabi Kareem ﷺ ne fir farmaya- Chu'nki Tumhare Khawind ne Tumhe Rok diya tha, isliye tum Ouper hi raho aur Apne Waalid ka chehra dekhne ke liye niche aana zaroori nahi, Wo Sahabiya Ouper hi rahi,*
*★_ Sochiye uske Dil ke Ouper kya guzari hogi, Kitna Sadma uske Dil per laga hoga, Uske Waalid ka janaza padhaya gaya, Usko Dafan kar diya gaya, Nabi Kareem ﷺ ne us Beti ki Taraf paigam Pahu'nchaya k Allah Rabbul izzat ne Tumhara Apne Khawind ka Lihaaz karne ki vajah se Tumhare Baap ke Sab Gunaaho ko maaf farma diya,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khulasa Kalaam :-*
*★_ Ab i'ada Sabaq Ke Tor per Hum Ab Tak ki gayi Saari Baato ka Nichod fir Bayan kar dete hai'n, Taki Bivi ko Apni Zimmedariya'n Achchhi Tarah Yaad ho jaye'n, Aurat ko Chahiye k Wo Ghar me Zinda Dil ban kar rahe, Jab Shohar aaye to Khanda Peshani se uska istaqbal kare, Uska Dil Baag Baag ho jaye, Khane Ke Waqt Dastar Khwan per Apne Shohar se Dilchasp Baate kare'n, Jab Zehan me be Fikri hoti hoti hai to Daal me bhi Qorma ka maza aata hai, To Bivi Apni Sheeri Zubani se Apne Khawind ke Gam ko khatm kar de, Uske Jitne bhi kaam ho'n Unko Apne Haatho se kare aur usko Apne Liye Sa'adat Samjhe, Khawind ki Khushi ko Apni Khushi, Khawind ke Gam ko Apna Gam Samjhe, Kharch Ke maamle me Kifayat Sha'ari se kaam le'n,*
*★_ Bure Waqt ke liye Hamesha Kuchh na kuchh Raqam alag rakhne ki koshish Kare, Agar Kabhi Khawind ko koi zarurat ho to Us Waqt Wo Raqam usko pesh kar Sakti hai aur uske Dil me Apne Liye jagah bana sakti hai, Wese bhi is Jama Shuda Raqam me se kabhi Khawind ke Kapde si kar de diye, Silwa kar de diye, kabhi ghadi Tohfa le kar de di, Hadees Paak me aaya hai Hadiya do Muhabbat badhegi, Ye Hamesha Khawind ki hi Zimmedari nahi hoti k Wo Hadiya de, Kabhi Bivi bhi use koi Personal cheez le kar de de to Khawind ki Khushi me izafa hoga,*
*★_ Ye Usool Yaad Rakhe'n k Pehle Khawind ko khilaye fir khud khaye, pehle Khawind ko pilaye fir khud piye, Jis kaam me Khawind ki Dilchaspi na ho use bilkul hi chhod de'n, Esi kabhi bhi Nobat na aane de'n k Tum Moo'nh udhar kar lo hum idhar Moo'nh kar le'nge, Muhabbat ke maidan me Baazi ko haar kar hi insaan Jeetta hai, kabhi bhi Shohar ke Saath Bad Aitmaadi aur Be itminani ka izhaar na kare'n, Jo Aurat Apna Dil bhi Sanwarti hai, Apna Jism bhi Sanwarti hai Wo Hamesha Apne Khawind ki pasandida banti hai, iske Liye Jhalakte hue Husn ki Zarurat nahi hoti Samajhdari ki zarurat hoti hai,*
*★_ Mard Kabhi bhi ziddi Aurat ko pasand nahi karta, jab bhi koi Esi baat ho to zid ko khatm kar ke Hamesha Mard ki baat ko Maan liya kare'n, Paak Daamani Wo Sifat hai k Jiski Vajah se Aurat Apne Khawind ke Dil Per Raaj karti hai, Khawind ke Araam ka Khayal rakhe'n, Usko Apna Dost banaye'n aur Doosro ki nazar me uski izzat badaye'n, Ye Wo Baate thi k Aurat Agar in Baato ka khayal rakhe to Ghar ka mahol Pur Sukoon rehta hai, Miya'n Bivi ke darmiyan Muhabbat badhti rehti hai, Miya'n Bivi Do insaan hai'n Jinhone mil kar Zindgi guzarni hoti hai to Kabhi Bivi ki galti se jhagda to kabhi Khawind ki galti se jhagda, Ummeed hai k Aurte'n in Galtiyo'n se Apne Aapko bachayegi aur Khushi ke mahol me Zindgi guzarengi, Allah Rabbul izzat Tamaam Khawateen ko Azwaaji Zindgi me Khushiya'n Naseeb farmaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Behatreen Shakhs Kaun hai ?*
*★_ Nabi ﷺ ne irshad farmaya– Tumme se Sabse behtar Wo hai jo Tumme se Ahle khana ( Ghar Walo) Ke Liye Behtar hai,*
*"_ Chuna'che Mard ki Achchha'i ka maiyaar uska Business nahi, Uska Daftar nahi, Uske Dosto ki Mehfil nahi, Mard ki Achchha'i Parakhne ke liye Maiyaar uska Apni Bivi se Talluq hai, Agar usne Unko khush rakha aur unke Gam khatm kar diye aur unko Pur Sukoon Zindgi dene ki Koshish ki to Yaqinan Ye Achchha insaan hai,*
*★_ Nabi ﷺ iski Tasdeeq farma rahe hai'n, aur Nabi ﷺ ne ye bhi farmaya–Mai'n Tum Sabme se Apne Ahle khana ke liye Zyada behtar hu'n, goya Practical ( Amali ) Misaal bhi Nabi ﷺ ne di,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Khawind Ke Andar Tahammul aur Bardasht honi chahiye:-*
*★_ Aurat Ko Allah Rabbul izzat ne Mard Ki Pasli me se banaya, iska Matlab ye hai k Allah Rabbul izzat ne na to Sar me se banaya k usko Sar par Bitha ke rakho, na usko Paa'nv se banaya k Usko Paa'nv ke niche rakho, Allah Rabbul izzat ne use Pasli se banaya k Ye Tumhare Dil ke Qareeb hai Tum isko Hamesha Apne Dil ke Qareeb rakho,*
*★_ Isliye Khawind ko Mutahammul Mizaaj hona chahiye Ky'unki Wo Ghar ka Zimmedar hai, Zara si Baat par Gusse me aa jana, Har Waqt Gusse ki Zubaan bolna, Har Waqt Lehja badal kar Bivi se Baat kehna, Ye Bewaqoof Mardo'n ka kaam hota hai, Ye koi Mardangi nahi hoti, Ghar ke andar So Chhoti moti baate ho jati hai'n, Esi Baato ko Nazar Andaz kar jana chahiye, Darguzar se kaam Lena Chahiye,*
*★_ Chhoti Chhoti Baato ka Batangad bana lena ye bhi Aqalmandi ki Baat nahi hoti, Mard kitna lagta hai k Chhoti si baat se Naraaz ho kar Beth Jaye, isliye kehne Wale ne kaha hai k Zyada bada Show dikhane ke liye Dil bhi bada karna padta hai, Shaadi ke baad to Khawind ko Apna Dil bahut bada kar lena chahiye,*
*★_ Angrezi ka Ek Maqula hai k - "High winds blow on High Mountains", Ounche pahado ke Ouper Aandhiya'n bhi Zyada Tez chala karti hai'n, Zindgi me ounch neech to hoti hai, Kabhi Maa'n ki Taraf se Shikwe kabhi Behan ki Taraf se Shikwe, Ab ye Zimmedari Aadmi ki banti hai k unhe Achchhe Tareeqe se nibhaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bivi Ko Maa'n Ke Raham o Karam Par na chhode'n:-*
*★_ Ka'i Khawind ko dekha k Wo Apni Bivi ko Maa'n Ke Raham o Karam Par chhod kar khud Ek Taraf ho jate hai'n, intehayi Gair Zimmedarana Baat hai, Hamesha Apni Position ka Khayal rakhna chahiye, Agar Mehsoos kar rahe ho'n k Bivi ki Galti hai to Usko Pyar se Samjhao, Agar Samajh rahe ho'n k Ammi Zarurat se Zyada us Par Sakhti kar rahi hai'n to Bade Adab ke Saath Ammi ki khidmat me guzarish karo, Apni Bivi ki Wakalat karte hue Zara bhi na Sharmao, isliye k Chhoti Chhoti cheeze hi baad me badi bana karti hai'n,*
*★_ To Bivi ki Hifazat ( Protect) karna Khawind ki Zimmedari hoti hai, Ab usko Yu'n kehna k Bhayi mujhe Nahi Pata Bas Tum unhe khush karo, To Bivi Koshish to karegi k Mere Khawind ki Walida hai Mai'n Khush karu'n, Magar Humne Kai martaba dekha k Saas Badi Ghaag aur Tajurba Kaar hoti hai, Ounch Neech jaanti hai, Wo Ese Apni innings khelti hai k is Ladki ko Nock out kar ke rakh deti hai,*
*★_ To isme Khawind ki Zimmedari hai k Wo Apni position ka khayal rakhe aur Agar dekhta hai k Ammi Zarurat se Zyada Sakhti kar rahi hai ya Ammi ne Usko Mushkil me daal diya hai to Unki Baato ko fir khud Block kare,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Bivi Ke Liye Makaan Ka Bandobast Kare'n:-*
*★_ Jab Mard ye dekhe k Mushtaraka (Shamil) rehne se Bivi Ke Huqooq Ka Tahaffuz nahi ho raha to fir Alag Makaan Haasil karne Ki Koshish kare, isliye k Shari'at ne kaha hai k Mard ki Zimmedari hai k Apni Bivi ko Alag Makaan ya Koi Kamra Le kar de Jisme Wo Koi Sukh ka Saa'ns le sake, Bivi ko Sar Chhupane Ke liye Jagah le kar dena Shar'an Khawind ki Zimmedari hai,*
*★_ Hamare Hazrat Reh. Farmaya karte they k Allah Ta'ala Khawind ko Zara bhi Gunjai'sh de to usko Apni Zindgi me Sabse Pehle Makaan Khareedna Chahiye, Balki Yaha'n Tak farmate they k Jiska Makaan nahi Uska imaan hi nahi,*
*"_ To Ek Din is Aajiz ne arz Kiya k Hazrat Ye itni badi Baat jo Aap Farmate hai'n iska Background kya hai ? Hazrat ne farmaya - Dekho ! Agar kisi Khawind ne Apna Ghar nahi khareeda aur uski Bivi Kiraye ke Makaan me reh Rahi hai, Allah na kare k Khawind ki Wafaat ho jaye, koi Accident ho jaye to Kiraye Wale to us Aurat ko Waha'n nahi rehne denge, Wo Kaha'n se kiraya degi ? To jab Wo uska Samaan uske Ghar se nikalenge to ye Aurat Pareshani ke Aalam me Kufriya Bol bolegi, Uska Imaam hi khatre me ho jayega _,*
*★_ To isliye farmate they k Khawind ki Zimmedari hai k Aurat ko Sabse Pehle Sar Chhipane ki koi jagah de taki usme Wo Apni Zindgi guzaar sake,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bivi Ka Dil Jeetne Ki Koshish kare'n:-*
*★_ Yaad Rakhe'n ! Jitna Muhabbat v Pyar se Miya'n Bivi rehte hai'n Utna hi Allah Rabbul izzat unse Khush hote hai'n, Kisi ne kaha hai - House is built by hands but Home is built by hearts ( Ie'nte Judti hai'n to Makaan ban jate hai'n, Jab Dil Judte hai'n to Ghar Abaad ho jate hai'n)*
*★_ Lihaza Bivi ke Saath khush Akhlaqi se rehna Khawind ki Zimmedari hoti hai aur Khush Akhlaqi isko Nahi kehte k Chhoti Chhoti Baato per insaan Daa'nt Dapat karta fire, Gusse hota fire, Tyoriya'n chadhata fire, Bolna chhod de, Ye Cheeze Miya'n Bivi ke darmiyan hona intehayi bura hota hai,*
*★_ Yaad Rakhe'n ! Jo Khawind Pyar ke Zariye Apni Bivi ka Dil na Jeet saka Wo Talwaar ke Zariye bhi Bivi ka Dil nahi Jeet Sakta, Ye Samajhna k Mai'n Daa'nt Dapat se sab sidha kar dunga, Ye Hargiz Theek nahi hota, Humne dekha hai k Daa'nt Dapat se ulta kaam bigadta hai, Bivi Saham jayegi, Chup ho jayegi Lekin jab Bivi bhi Apne Khawind ke Khilaaf Gorilla Jung ladna Shuru kar degi to kya fayda ? Isliye Muhabbat v Pyar hi Azwaaji Zindgi ke liye Behatreen Amal hai,*
*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Muskurane Ki Sunnat Ko Apnaye'n:-*
*★_ Nabi Alaihissalam Ki Aadate Mubaraka thi k Jab bhi Ghar Koi Cheez late they, Muskurate hue aate they aur Apne Ahle khana ko Salam kiya karte they, Muskurate hue aana aur Ghar Walo ko Salam karna, Ye Achche Mahol ki ibtida hai, Jab Khawind Muskurata hua aayega to Yaqinan Bivi bhi Muskurayegi, Ab Dono Muhabbat v Pyar se rahenge, Muskurat ne Muskurate faila thi,*
*★_ Ek Martaba Mere paas Ek Miya'n Bivi ka Mu'amla aaya, Shadi ki Teen Saal ho chuke they, Dono Padhe Likhe Achchhi Family ke Bachche they, Dono Bait they aur Dono Nek bhi they, Wo Kehne lage k Ji Hum is Natije par Pahu'nche hai'n k Hamara Guzara nahi ho Sakta, Kyu Nahi ho Sakta ? Kehne lage isliye k Bas Hamari Tabiyate nahi milti, Hum Aapas me Har Waqt Bahas karte rehte hai'n, Koi Din Zindgi ka Esa Nahi k Hamari Aapas me Bahas na hui ho, Hum Tang aa chuke hai'n aur Humne Thande Dil o Dimaag se Socha hai k Abhi To Umr Dono ki esi hai k Koi na koi Doosri Soorat bhi ban jayegi to kyu na hum Apni Zindgiya'n barbad kare'n ? Hum Apne Maa'n Baap ko batana chahte they isse Pehle humne Aapko batana Munasib Samjha, Chu'nki Aap hamari Tarbiyat ke Zimmedar hai'n, Maine unse Chand minutes baat ki aur Kureda k masla kya hai ?*
*★_ Dar Asal in Dino Unka Kaam aur Karobaar ki position achchhi nahi thi, Khawind ke Ek Do Mu'amlaat fa'ns gaye they, Kuchh Adaygiya'n ruk gayi thi'n, aur Wo Bahut Tension me tha, isliye Jab Daftar se Ghar aata tha to Bahut Sanjida hota tha, Bivi khana Paka ke Ghante Do Ghante se Bhooki bethi hai k Khawind aayega, Mai'n Mil ke khana khaungi, Jab Wo Khawind ka Chehra dekhti k itna Serious! To Natija Ye Nikalti k Shayad Mai'n Apne Khawind ko Pasand nahi hu'n aur Jab Wo ye Sochti k Mai'n Apne Miya'n ko pasand hi nahi to use Gussa aata, Chu'nki wo Khoobsurat bhi thi, Nek bhi thi, Taleem Yafta bhi thi, Achchhe Gharane ki thi, Ye Sochti thi k Mere andar kya kami hai k Khawind meri Taraf Pyar se nahi dekhta ? Chuna'che Bivi Pichhe Hat jati, Khawind wese hi Serious hota aur Dono Ke Darmiyan Ek Doosre ke Saath fir khoob Bahas Mubahisa hone lagta,*
*★_ Maine Unse kah k dekhe'n ! Aap log Apna ye Faisla 6 Mahine ke liye rok le'n aur Mai'n Aap Logo'n ko Ek Kaam Zimme lagata hu'n, Aapko ye kaam karne hai'n, Fir 6 Mahine ke baad Aap Sochna k Hum Aapas me ikatthe reh Sakte hai'n ya nahi reh sakte, Unhone Kaha– ji Theek hai, Chuna'che maine Khawind se kaha- Jab Aapne Ghar aana hai To Nabi ﷺ ki Sunnat per bhi Amal karna hai k Muskurate hue Chehre ke Saath aao aur Salam karo, Tumne is Sunnat ko Chhoda to iski be barkati se Tumhare Ghar se Khushiya'n Rooth gayi'n, Buisness nahi chal raha, Jab aao to ( Wo bechari Ghante Do Ghante se intezar me hai ) chehre ke Ouper khushi ho, khila hua Chehra ho, insaan ke Muhabbat se A'asaab jhalak rahe ho to Wese to badi Sunnato ka khayal karte ho to is Sunnat ka khayal kyu nahi karte ?*
*★_ Jab Us Nojawan ko Ye baat Samjhayi to Wo Kehne laga - Ji Mai'n is Sunnat par Zaroor Amal karunga, Fir maine Bivi ko Kaha - Ab Aapne bhi Ek Amal karna hai k Jab Khawind aaye to Aapne Hamesha Darwaze par Khawind ka istaqbal karna hai aur Khawind ko Muskura kar dekhna hai, Usne kaha Theek hai,*
*★_ Maine kaha k ye baat to wo thi jo Maine Aapko Sunnat ke Mutabiq batayi, Ab is Soorate Haal me ( Jab Aap Logo'n ki Tabiyate itni Ek Doosre se Door ho chuki hai'n) Khawind ko ek Amal aur batata hu'n, Aap jab bhi Ghar aaye'n to Miya'n Bivi hi to Ghar me rehte hai'n aur to koi nahi To Muskurate chehre ke Saath aaye'nge aur Jab Ghar me aayenge to Aap Apni Bivi ko Muskura ke dekh kar uska Bosa le'nge, Ab ye Lafz Sun kar Khawind bada hairan ho kar meri taraf dekhne laga, Maine kaha- Tumhari Apni hi Bivi hai, Hairan kyu ho rahe ho ? Tumhe Niflo ka itna Sawab nahi milta jitna is Bose per milna hai, Wo kehne laga - Ji Mai'n in sha Allah is par Amal karunga,*
*★_ Teen Mahine ke baad Dono ne Ha'nste Muskurate Phone kiya, Kehne lage- Hume To Yu'n laga k Humne ye Teen Mahine Hanimoon ki tarah guzare hai'n, isliye k Jab Khawind Ghar muskurata hua aata tha aur Bivi ko Kiss karta ( Bosa Leta ) tha aur Bivi bhi Muskurati thi to Fir Saare Ghar me Muskurate hi aa jati thi, Arguments ( Bahas v Takraar ) khatm hi ho jate they, To Ka'i dafa ek Chhota sa Amal Ujadte hue Ghar ke Abaad karne ka Sabab ban jata hai _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Shohar Ki Narmi Se Bivi Ki islaah:-*
*★_ Mere Pass Ek Nojawan aaya, intehayi Nek Tahajjud Guzaar Muttaqi Parhezgaae, Usko Bait hue Ek Saal hua tha Magar Allah ne uski Tabiyat me Neki rakh di aur Wo khoob Taqwe ki Zindgi Guzaar raha tha, aaya to bade Gusse me tha, Puchha khair to hai ? Kehne laga Bas Kya karu'n Bivi Esi hai k Deen ki Taraf aane ko bilkul Tayyar nahi, Na TV chhodti hai, na ye Chhodti hai na wo Chhodti hai, Parde ka Khayal nahi karti, Salam nahi Karti, Ulta me Deen ki Baat karu'n to Aage se Ulti Baat kar deti hai, Mai'n Tang aa chuka hu'n, Bas Hazrat Aap mujhe bataye'n Mai'n Kya karu'n?*
*★_ Asal me Ab Wo Mujhse ijazat lena chata tha k Ya to Mai'n Bivi ki pitayi karu'n Ya Fir Bivi ko Mayke bhej du'n, Maine usse baat ki aur usse Kaha-Achchha Batao Tumhari Shaadi kese Hui ? Pata Chala k ye Sahab bhi Ek Saal pehle wese hi they aur Dono ki Aapas me Love Marriage thi aur Dono ka Ek Saal tak Affair chalta raha, Pasand ki Shaadi thi, To maine use Samjhaya k Dekho ! Dono ka Back Ground Ek hi jesa tha, Farq ye k Aapko Nek mehfil mili to Ek Dam badal gaye, Bivi ko na ye Bayanaat mile, na ye Sohbate mili, na ye khair ki baat Sunne ka Moqa Mila, To Bivi kese itna Jaldi Badal Jayegi ! Wo to Time legi to Kyu itna pareshan hote ho ?*
*★_ Kehne laga- Bas Mai'n kya karu'n Bahut hi Bedeen hai, Wo Bahut hi zyada Faasiqa hai, Wo Baar Baar yahi baat kahe, Maine kaha - Achchha Mai'n Aapke Zimme Ek kaam lagata hu'n, Maine kaha - Achchha ye bataye'n k kabhi khana khate hue Aapne Apni Bivi ke Moo'nh me luqma dala ? Kehne laga nahi, maine kaha- kyu ! kya ye Sunnat nahi hai ? Kehne laga - Achchha Sunnat hai ? Maine kaha - Haa'n Bilkul Jao aur khana khate hue mithayi ka Dibba agar Dastar Khwan par pada ho to usme se Ek Gulab Jamun utha kar uske Moo'nh me daal dena, Ab uski Saa'ns jese Ruki hui hai aur meri Taraf dekh raha hai, Kyunki uski Tabiyat me to Sakhti thi, Wo to Pitayi ke mood me aaya tha, maine kaha- Jao Jaa kar is par Amal karo ! Ji Hazrat,*
*★_ Fir maine uski Khoob Achchhi tarah khabar li aur usko Samjhaya k Deendaar Logo'n ki beja Tabiyat ki Sakhti Apni Biviyo'n ko Bedeen banane ka bada Sabab hoti hai, maine kaha k ye Kaha'n ke Akhlaaq hai'n Jo tum Samajhte ho, Bade Tum Aqamat E Deen ki Koshish karte firte ho, Jao ! Pyar se raho aur kal mujhe aa kar batana k Moo'nh me luqma dala, kehne laga - Theek hai,*
*★_ Agle Din aaya, Ab chehre par Thodi si Muskurahat thi, puchha k kya hua ? Kehne laga k Hazrat ! Dastar Khwan laga, Pehle to Mai'n khana hi Alag kha leta tha, Mai'n Paas betha, khana khane laga, Khane ke Dauran maine Gulab Jamun uthaya aur Bivi ke Moo'nh ki Taraf Jo kiya to Bivi Hairaan, maine usse kaha k Mai'n Aapke Moo'nh me Gulab Jamun rakhna chahta hu'n, Kehne laga Khair usne le liya Lekin Ek Dam uski Haalat badal gayi, Wo Mujhse kehne lagi- Ye Tumne Kaha'n se Seekha ? To maine kaha k Mujhe Aaj hi pata chala k ye Sunnat hai, Wo Kehne lagi - Achchha Sunnat hai, Sunnat itni Achchhi hoti hai? Chuna'che usne Deen ki Baate khud poochhna Shuru kar di aur Dastar Khwan se uth kar usne us Waqt ki jo Namaz thi usko khud padha,*
*★_ Jab Khawind ki itni si Muhabbat dene par Wo Bachchi Deen ke Qareeb aa gayi aur Chand Mahino me wo Shara'i Parda karne wali Tahajjud Guzaar Ladki ban gayi, To Khawind Agar Muhabbat Pyar se rahe to Bivi kyu nahi Uski Vajah se Apni Zindgi ko badlegi ? Umuman Darmiyan me koi na koi Masla hota hai jo Rukawat bana hota hai,**
╥────────────────────❥
*⊙⇨Shari'at Dilo Ko Jodti hai:-*
*★_ Ye bhi Aksar dekha hai k Nek aur Deendaar Logo'n Ke Gharo me Aapas me Muhabbat v Pyar hota hai, Ye Deen Dilo ko Jodta hai, Allah Ta'ala farmate hai'n :-*
*"_ إِنَّ الَّذِينَ آمَنُو وَعَمِلُو الصَّلِحَتِ سَيَجْعَلُ لَهُمُ الرَّحْمَنُ وُدًّا_,*
*"_ k Jo Log imaan La kar Nek Aa'mal kare'n Allah unke Dilo me Muhabbate bhar denge _,"*
*★_ isliye Mai'n Nojawan Bachcho ko Samjhata hu'n k Agar Tum Pur Sukoon Zindgi guzarna chahte ho to Gharo me Deen ka Mahol paida kar lo, Deeni Mahol ki vajah se Dilo me Muhabbate paida ho jayengi, Ka'i Nojawan aaye, kehne lage- G kya kare ? Hum Miya'n Bivi ki Banti nahi hai, kyu ? Bas Ji hamare Dil Ek Doosre se bahut khatte ho gaye, Maine kaha k Tum Dilo ki Elfi istemal karo, Elfi Cheezo ko Aapas me jod deti hai, isi Tarah ek Elfi Dilo ko bhi jod deti hai aur Ye Elfi "Shari'at" hai_,*
*★_ Tum jao Deen wali Zindgi guzarni shuru karo ! Allah Ta'ala Miya'n Bivi ke Dilo ko isi Tarah jod denge jese Elfi Do Cheezo ko Ek Doosre se jod deti hai, aur Waqa'i jo Muhabbate, Jo pyar Deendaar Jode Aapas me karte hai'n, Fisk v Fujoor me zindgi guzarne walo ko iska pata hi nahi hai, Lekin kabhi kabhi esa hota hai k Baaz Deendaar Nojawano ki Tabiyat me Sakhti aa jati hai, Esa Ajeeb haal hota hai k Bas har Waqt Roab chala rahe hote hai'n, Unko lehja badal kar baat karne ki aadat ho jati hai, Ye Normal mood me baat hi nahi karte,*
*★_ Bhai ! Allah Rabbul izzat ne Mard ko Ghar me bada banaya maqam diya, magar iska ye matlab to nahi k bas Tum ab danda hi Chalana seekho, Tum Apni position ka khayal rakho aur ye dekho k Nabi Alaihissalam ne kya farmaya, Nabi Alaihissalam ne irshad farmaya- Tumme Se Sabse Behtar Wo hai jo Ahle Khana ke liye behtar hai ,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ek Khatoon ka Anokha Andaze Shikayat:-*
*★_ Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ke Paas Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu Tashreef farma they, Ek Khatoon aayi aur aa kar kehne lagi:- Amirul Momineen! Mera Khawind bahut Nek hai, Saari Raat Tahajjud padhta rehta hai aur Saara Din Roza rakhta hai, aur ye keh kar Khamosh Ho gayi, Umar Raziyallahu Anhu bade Hairaan k Khatoon kya kehne aayi hai? Usne fir yahi baat dohrayi k mera Khawind bahut Nek hai Saari Raat Tahajjud me Guzaar deta hai aur Saara Din Roza rakhta hai, is par Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu bole- Ey Amirul Momineen! Isne Apne Khawind ki bade Achchhe Andaz me shikayat ki ? Amirul Momineen ! Jab Wo Saari Raat Tahajjud padhta rahega aur Saara Din Roza rakhega to fir Bivi ko Waqt kab dega ? To ye kehne aayi hai k Mera Khawind Nek to hai magar mujhe Waqt nahi deta _,*
*★_ Chuna'che Umar Raziyallahu Anhu ne uske Khawind ko bulaya to usne kaha- Haa'n Mai'n Mujahida karta hu'n, Ye karta hu'n, Wo Karta hu'n, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ubai bin Ka'ab se kaha k Aap inka faisla kare'n, Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne un Sahab se kaha k dekho Shar'an tumhare liye zaroori hai k Tum Apni Bivi ke Saath Waqt Guzaro, Hansi Khushi uske Saath raho aur kam az kam har Teen Din ke Baad Apni Bivi ke Saath Hambistari karo,*
*★_ Khair Wo Miya'n Bivi to Chale gaye, to Umar Raziyallahu Anhu ne Ubai bin Ka'ab se Puchha- Aapne ye Shart kyu lagayi k Har Teen Din ke baad Bivi se milaap karo ? Unhone Kaha- dekho ! Allah Rabbul izzat ne Mard ko zyada se zyada Chaar Shadiyo'n ki ijazat di, Chuna'che Agar Chaar Shadiya'n bhi kisi ki ho'n to Teen Din ke baad har Bivi ka Din aata hai, To Maine use kaha k Tum Zyada se zyada Teen Din ibaadat kar sakte ho, Teen Din ke baad Ek Din Raat Tumhari Bivi ka haq hai, Tumhe guzarna padega, To Dekho Shari'at insaan ko kya Khoobsurat Baate batati hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Nabi Alaihissalam ka Apni Azwaaj Mutaharaat Se Ravayya :-*
*★_ Nabi ﷺ Apne Ahle khana ke Saath bahut pyar Muhabbat se rehte they, Unse Unki Dillagi ki baate Kiya karte they, Aap Sochiye k Nabi ﷺ ke Dil me Jahannam ka Kya Nazara hoga Jise Aa'nkho se dekha, Allah Rabbul izzat ke khof aur Khusiyat ka kya Aalam hoga, Nabi Alaihissalam ne farmaya - Logo'n! Mai'n tumme se Zyada Allah se darne wala hu'n, wo Allah ke Pyare Habeeb ﷺ Jinhone Jahannam ko Aa'nkho se dekha, Jo Allah ki Azmat se Waaqif they Unke Dil per Kis Qadar Allah ki Azmat ka Mu'amla rehta hoga,*
*★_ Lekin Wo Allah Ke Pyare Habeeb ﷺ jab Apni Bivi Ke Paas Tashreef laate they to unse Dillagi ki Baate karte they, Ahadees me bahut se Ese Waqi'aat milte Hai'n Jinse pata chalta hai k Nabi Alaihissalam Azwaaj Mutaharaat se Dillagi aur unki Diljoi farmaya karte they,*
*★_ Ek maidane Jung se Waapsi ka Waqt tha, us Waqt Aurte'n Apni Zarurat se Faarig hone ke liye Apne Khawindo ke Saath bahar nikal jati thi, Toilet to bane nahi hote they, Nabi ﷺ Apne Ahle khana ke Saath gaye, Raat ka Waqt tha, khula maidaan tha, Nabi ﷺ Apni Ahliya ko Farmaya- Humaira ! Aao Daud lagaye'n, Ab dekhiye! Kitni Ajeeb baat lagti hai, Chuna'che Nabi ﷺ Apni Ahliya ke Saath daudne lage aur Nabi ﷺ ne unko Jeetne diya, Jab Wo Jeet gayi to bahut khush ho gayi, Nabi ﷺ Khamosh Ho gaye,*
*★_ Andaza lagaye'n k Bivi ko khush karne ke liye Agar Allah ke Habeeb ﷺ is daud me thodi der ke liye pichhe reh sakte hai'n to kya Aam Khawind Apni Bivi ke liye Khamosh nahi ho sakta? Kuchh arse ke baad daubara fir isi qism ki Soorate Haal hui, Nabi ﷺ ne farmaya - Ayesha ! Daude'n ! Fir jab Daud lagayi to Ab Allah ke Nabi ﷺ aage bad gaye aur Muskura ke farmaya- pehle Tum Jeet gayi thi'n ab Mai'n Jeet gaya, Maine tumhara hisaab barabar kar diya, To dekho ! Bivi ki Dillagi ke liye Esi baate hai'n,*
*★_ Ek martaba Eid ka Din tha, Bahar Kuchh Habshi Nojawan khel rahe they, Daud rahe they, To Nabi ﷺ ne Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se farmaya K Ayesha ! Kya Aap ye khel dekhna chahogi ? Farmaya- Ji dekhna chahungi, To Aap is Tarah khade ho gaye k Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko Apni oat me le liya aur Aapke Bazu par Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Apni Thodi rakhi aur is Tarah wo Khel dekhne lagi'n,*
*★_ Nabi ﷺ kuchh der baad puchhte hai'n k Tum dekh rahi ho bas kare'n! Farmaya-Nahi Abhi aur dekhna chahti hu'n, Do Teen Martaba Esa hua, Nabi ﷺ ne farmaya - Tumhe ye khel bahut Achchha laga, Ab dekhiye ! K Allah ke Pyare Habeeb ﷺ ( Parde ki Aayaat Naazil hone se pehle) ye khel khud Apni Bivi ko dikha rahe hai'n,*
*★_ Chuna'che Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko Nabi ﷺ ne No Aurto'n ki kahani Sunayi k Ku'nwe par Pani bharne ke liye No Aurte'n ikatthi hui'n, Ek ne kaha k Tum bilkul Aaj khari khari baat suna do ! To ek ne kaha - Mera Khawind esa hai, Esa hai, Doosri ne kaha- Mera Khawind esa hai, Teesri ne kaha - Esa,*
*★_ Ab dekho ! Allah ke Pyare Habeeb Apni Bivi ko un Aurto'n ki kahani suna rahe hai'n aur farmaya k unme se Ek Aurat "Umme Zar'a" thi, Usne Abu Zar'a ke bare me kaha k Wo Mujhe itna Muhabbat se rakhta hai, Wo mujhe itna khilata hai, Usne mujhe Sone se laad diya, Usne Mujhe itni Muhabbat di, Ye Baate Suna kar Nabi ﷺ ne farmaya, Ayesha ! Abu Zar'a, Umme Zar'a se jitni Muhabbat karta tha Mai'n usse zyada Tumse Muhabbat karta hu'n,*
*★_ Ab bataiye k Khawind Agar Esi baat Bivi se karega to uski Zindgi me to Khushiya'n aa Jaye'ngi, usko to Apna Ghar basta Nazar aa jayega_,*
*★_Anjasha Raziyallahu Anhu Ek Sahabi hai'n, Wo Khawateen Ke ou'nto ki Muhaar pakad kar chal rahe they, To unhone zara Tez chalna shuru kar diya, Unke Pichhe ou'nto ne bhi bhaagna shuru kar diya, Nabi ﷺ ne jab dekha k Ou'nt tezi se bhaag rahe hai'n to Anjasha ko farmaya k Ou'nto ko Aahista chalao uske Ouper hamare Aabgine sawar hai'n, k Jese Sheeshe ki bani hui cheez ko Zara Nazuk hone ki vajah se Pyar se handle karna chahiye to Allah ke Pyare Habeeb ﷺ ne ye Lafz istemal kiya,*
*★_ Aap Zara Sochiye ! Jo Allah ke Pyare Mehboob ﷺ ou'nt ko Tez chala kar bhi unko Takleef nahi dena chahte Wo Apni Biviyo'n ko Kitna Khush rakhte ho'nge!*
*★_ Chuna'che Hazrat Dr. Abdul Hayi Sahab Reh. Ki Bivi unke bare me farmaya karti thi'n k Unhone Poori Zindgi kabhi mujhse Lehja Badal kar Baat nahi ki, Kya Husne Mu'ashrat hai ! Kya Husne Akhlaaq hai, Farmati hai'n Naraaz hona Gusse hona to badi Door ki Baat hai, Unhone kabhi mere Saath Lehja badal kar baat nahi ki, Hamesha Muhabbat Pyar ke Lehje me baat karte they,*
*®_ Hazrat Maulana Peer Zulfiqar Naqshbandi Da.Ba._,*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻 WhatsApp Channel Follow Kijiye _,*
╥────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments