✰══❖═══✰══❖═══
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ.
✰═══❖══✰═══❖══✰
*SHAB – E – QADAR*
❖══✰═══❖
*◐☞Shabe Qadar Kya Hai ? ◐*
*❖_ Ramzanul Mubarak Ki Raato mai se Ek Raat Shabe Qadar Kehlati hai ,Jo bahut hi Qadar v Manzilat aur Khairo Barkat Ki haamil Raat hai, Isi Raat ko Allah Ta’ala ne hazaar Mahino se Afzal qaraar diya hai,, Hazaar Mahine ke 83 Saal 4 Mahine bante Hai’n,*
*❖_ Yani Shakhs Ki ye ek Raat ibaadat mai guzri usne 83 Saal 4 Mahine ka zamana ibaadat mai guzaar diya aur 83 Saal ka zamana kam se kam hai Kyunki ”Khairum min Alfi Shahar" Keh kar is Amr ki taraf ishara farmaya gaya hai k Allah Kareem Jitna zyada ajr ataa farmana chahega ataa farma dega ,is Ajr ka andaza insaan ke bas se baahar hai ,*
*◐☞ _Shabe Qadr Ka Mafhoom ◐*
*❖__ Imaam Zahri Reh.farmate hai’n k ” Qadr ” ka ma’ani martaba se hai ,Chunki ye Raat baqi Raato ke muqable mai Sharf v martaba ke lihaaz se buland hai, isliye ise Laylatul Qadr Kaha Jata hai ,*
*❖_ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se marvi hai k chunki is Raat mai Allah Ta’ala Ki taraf se ek Saal Ki taqdeer v Faisle ka qalamdaan farishto ko saunpa jata hai is vajah se ye Laylatul Qadr kehlati hai ,*
*❖_ is Raat ko Qadr ke naam se tabeer karne Ki vajah ye bhi bayan Ki jati hai :- is Raat mai Allah Ta’ala ne Apni qabile qadr Kitaab qabile Qadr Ummat ke liye Sahibe Qadr Rasool Ki ma’arfat Naazil farmayi , Yahi vajah hai k is Surah mai lafze Qadr teen dafa aaya hai _,”*
*🗂️ Tafseere Kabeer, 28:32*
*❖_ Lafze Qadr Tangi ke ma’ani mai istemal hota hai , Is lihaaz se is Raat ko Qadr Wali Kehne Ki vajah ye hai k is Raat Asmaan se Farshe Zameen per itni kasrat ke saath Farishto ka nuzool hota hai k Zameen tang ho jati hai ,*
*🗂️Tafseere Khaazin ,4:395*
*❖_ Imaam Abu Bakar AL Varaaq ” Qadr ” Ki vajah bayan karte hue kehte hai’n k ye Raat ibaadat karne wale ko Sahibe Qadar bana deti hai Agarche WO pehle is laa’iq nahi tha ,*
*🗂️Qurtubi ,131:20*
❖══✰═══❖
*◐☞Ye Raat Kyu ataa Hui ?- ◐*
*❖__is Raat ke ataa kiye Jane ki Sabse Aham vajah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ki is Ummat per Shafqat aur Aapki GAM khwari hai ,*
*❖_Baab maaja fi Laylatul Qadr -Mota Imaan Maalik Reh.mai hai — Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Pichhle logo Ki Umaro per agaah farmaya gaya to Aapne unke muqable mai Apni Ummat ke logo Ki Umar ko kam dekhte hue ye khayal farmaya k meri Ummat ke log itni kam Umar mai Pichhli ummato ke barabar amal kese karenge ?*
*___Jab Allah Ta’ala ne Aapke muqaddas Dil ko is maamle mai gamzada v pareshan dekha to — Pas Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Laylatul Qadr ataa farma di Jo hazaar mahino se Afzal hai ,*
*❖_ iski Taa’id Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se manqool Rivayat se bhi hoti hai ,k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Baargahe Aqdas mai Bani Israel ke ek ese Shakhs ka zikr kiya gaya Jisne Ek Hazaar Maah tak Allah Ta’ala Ki Raah mai Jihaad kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is per Tajjub farmaya aur Apni Ummat ke liye aarzu karte hue jab ye Dua Ki k Ey mere Rab meri Ummat ke logo Ki umare kam hone Ki vajah se nek Amaal bhi kam honge, To is per Allah Ta’ala ne Shabe Qadr inayat farmayi,*
*( Tafseer Khaazin ,4/397)*
*❖_ Ek aur Rivayat mai ye bhi hai k Ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saamne Bani israiyl ke Chaar mukhtalif Shakhsiyaat Hazrat Ayyub Alaihissalam, Hazrat Zakariya Alaihissalam, Hazrat Hizkeel Alaihissalam, Hazrat Yusha Alaihissalam ka tazkira karte hue farmaya k in Hazraat ne Assi Assi Saal Allah Ta’ala Ki ibaadat mai mashgool rahe aur Palak jhapakne ke barabar bhi Allah Ta’ala Ki nafarmani nahi Ki,*
*"_Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko in buzurg hastiyo per rashk aaya ,Imaam Qartubi Likhte hai’n k usi waqt Jibreel Alaihissalam Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki baargahe Aqdas mai haazir hue aur arz kiya – Ey Muhammad (Sallallahu Alaihivasallam) Aapki Ummat ke log in saabqa logo Ki Assi Assi Saala ibaadat per rashk kar rahe hai’n to Aapke Rab ne Aapko isse behtar ataa farmaya hai aur fir qiraat Ki ” inna anzalnahu fi laylatil qadri…,” is per Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Mubarak Chehra khushi v masrrat se chamak utha,* *(Qurtubi-20:130)*
*❖_Chunache Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki tufel ye karam farmaya k is Ummat ko Laylatul Qadr inaayat farma di aur iski ibaadat ko Assi nahi 83 Saal 4 Maah se badh kar qaraar diya,*
❖══✰═══❖
*◐☞Laylatul Qadr is Ummat ki Khususiyat ◐* ◐*
*❖_ Laylatul Qadr sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ki khususiyat hai, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-*
*“_ Ye muqaddas Raat faqat meri Ummat ko ataa farmayi hai Saabqa Ummato mai se ye Sharf kisi ko bhi nahi mila ,”*
*(Durre Mansoor- 6:371)*
*❖_Mufassireen Kiraam likhte hai’n k Pehli Ummato mai Aabid use Qaraar diya jata tha Jo Hazaar Mahino tak ibaadat karta ,Lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Sadqe mai is Ummat ko ye Fazilat haasil hui WO ek Raat ki ibaadat se isse behtar muqaam haasil kar leti hai ,Allah Ta’ala ne is Ummat ke afraad ko ye Shabe Qadr ataa kar di Jiski ibaadat is hazaar Maah se behtar qaraar di gayi _”*
*( Fatahul Qadeer -5:472)*
*❖_ Goya k ye Azeem niyamat bhi Sarkare Do Jahaa’n Sallallahu Alaihivasallam ki gulami ke Sadqe mai is Ummat ko naseeb hui hai ,*
*◐☞ Fazilate Shabe Qadr ◐*
*❖_Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se marvi hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-*
*“__Jis Shakhs ne Shabe Qadr mai Ajro Sawab Ki Ummeed se ibaadat ki uske Pichhle gunaah maaf kar diye Jate Hai’n_”*
*(Sahih Bukhari-1/270)*
*❖_Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se marvi hai k Ramzanul Mubarak ki aamad per ek martaba Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-*
*“__ Ye Jo Maah tum per aa raha hai usme ek esi Raat hai Jo hazaar Maah se afzal hai ,Jo Shakhs is Raat se Mehroon reh gaya Goya WO saare khair se Mehroon raha aur is Raat ki bhalaai se wahi Shakhs Mehroon reh sakta hai Jo waqatan Mehroon ho _,”*
*(Sunan ibne maaja:20)*
*❖_Ese Shakhs ki mehroomi mai waqaatan kya shak ho sakta hai Jo itni badi ni’amat ko gaflat ki vajah se gawa de , Jab insaan mamooli mamooli Baato ke liye kitni Raate jaag kar guzaar leta hai to Assi Saal ki ibaadat se Afzal ibaadat ke liye chand raate kyu na jaage? Jis Raat mai Jibreele Ameen farishto ke saath utarte ho aur ibaadat karne walo ke liye Duae magfirat karte ho,*
❖══✰═══❖
*◐☞ Shabe Qadr Ko Makhfi Kyu Rakha gaya ? ◐*
*❖_ itni aham aur Ba Barkat Raat ke makhfi hone ki bahut si hikmate bayan ki gayi hai’n unme se chand ye hai’n :-*
*❖_ 1- Digar Aham makhfi umoor maslan isme Aazam ,Jume ke Roz Qubuliyate Dua ki ghadi ki tarah Raat ko bhi makhfi rakha gaya,*
*❖_2- agar ise makhfi na rakha jata to sirf isi Raat ke amal per iktfa kar liya jata, Zoqe ibaadat ki khatir isko zaahir nahi kiya gaya,*
*❖_3- Agar kisi majboori ki vajah se kisi Shakhs ki WO Raat reh jati to shayad is sadme izala mumkin na hota,*
*❖_ 4- Allah Ta’ala ko chunki Bando ka Raat ke Awqaat mai jaagna aur bedaar rehna mehboob hai ,isliye Raat ki taa’iyn na farmayi taki iski talash mai mutaddid raate ibaadat mai guzaare,*
*❖_ 5- is Raat ke Makhfi rakhne ki ek vajah gunahgaaro per Shafqat bhi hai Kyunki agar ilm ke bavjood is Raat mai gunaah sarzad hota to isse Laylatul Qadr ki azamat majrooh karne ka jurm bhi likha jata,◐*
*◐☞Ek Jhagda Shabe Qadr ke ikhfa ka Sabab bana◐*
*❖_ Ek nihayat aham vajah iske makhfi kar dene ki ek jhagda bhi hai ,Hazrat Ubaada bin Saamit Raziyallahu Anhu se marvi hai k,*
*“_ Ek martaba Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Shabe Qadr ki taa’iyn ke bare mai agaah farmane ke liye ghar se Bahar tashreef laye lekin Raaste mai do Aadmi Aapas mai jhagad rahe they,*
*Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- mai’n tumhe Shabe Qadr ke bare mai ittela dene aaya tha magar fala’n ki ladaai ki vajah se iski taa’iyn utha li gayi ,*
*❖_is Rivayat ne ye bhi Waaze kar diya k ladaai jhagde ki vajah se insaan Allah Ta’ala ki bahut si ni’amato se Mehroon ho jata hai, Yahi vajah hai k Aaj Ummat barkato aur sa’adato se Mehroon hoti ja rahi hai ,*
*(Bukhari -1/172)*
❖══✰═══❖
*◐☞_Shabe Qadr Kab Talash Kare? ◐*
*❖_ Shabe Qadr ke Waqt ke bare mai Ulma ke bahut se aqwaal hai’n, Lekin Aksar Ulma is per mutafiq hai’n k WO Ramzanul Mubarak ki Aakhri 10 Raato mai se koi Raat hoti hai ,Aur un 10 Raato mai bhi Taaq Raato ( 21-23-25-27-29) mai Shabe Qadr ki ummeed zyada hai aur 27 Vi Shab mai Sabse zyada ummeed hai ,Hattaki baaz Ulma ne isi tareekh ko Goya mutaiyan kar diya hai,*
*(Qurtubi -10/121)*
*❖_ Isliye Ramzan ke Aakhri Ashre mai bil khusoos ghutne tek kar Shabe Qadr ki talash mai lag Jana chahiye , itni Azeem Fazilat ke haasil karne ke liye Das Raate ibaadat mai guzaar dena koi mushkil nahi ba-sharte k Dil mai Jazba aur Tadap ho , ◐*
*◐☞ Shabe Qadr Kin A’amaal mai Guzaare? ◐*
*❖_ Hadees mai aata hai k Shabe Qadr ki Fazilat to use bhi haasil hoti hai Jo Magrib aur Isha ki namaze Ba-jama’at adaa kare , (Roohul Ma’ani-16/354)*
*"_Lekin Ye Sabse Adna darja hai, Behtar ye hai k is Raat mai mukhtalif ibaadato ko jama kare aur khoob Ji laga kar aur nihayat zoq v shoq aur bashashat se ibaadat mai mashgool rahe,*
*❖_ Tilawate Qur’ane Kareem is tarah Tavajjoh ke saath kare k jab Ayaate Rehmat se guzre to Allah Ta’ala se rehmat ka ummeedwaar ho ,aur Jab Ayaate Azaab se guzre to Jahannam se panaah maangne,*
*❖_ isi tarah nawafil ki Kasrat kare ,moqa mile to Kam az Kam Salatut tasbeeh padhe, neez hamdo sana ,istigfaar, darood Sharif aur Aaho zaari ke saath Dua aur munajaat mai mashgool rahe, Ye poori Raat qubuliyat ki Raat hai ,is Raat mai Malayka Asmaan se utarte hai’n aur ibaadat karne walo ko apne jhurmut mai le lete hai’n, Malayka ki Sohbat ki vajah se Dil naram ho Jate Hai’n ,Khushu khuzu ki kaifiyat paida hoti hai, isliye Duniya aur Aakhirat ki har tarah ki bhalaiya’n maangni chahiye aur har tarah ki buraiyo’n aur Shar se panaah maangni chahiye,*
*❖_ Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai’n k maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k agar mujhe Shabe Qadr naseeb ho jaye to mai kya Kalimaat ada karu ?*
*To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k :- Ye Dua karo* __
*"_اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي _,"*
۔
*Allahumma innaka Afuwwu Tuhibbul Afwa Fa’afu Anni ,*
*“Ey Allah ! Aap bahut maaf farmane wale hai’n isliye mujhe bakhsh dijiye ,” (Roohul Ma’ani -16/354)*
*WazahatYaha ye Wazahat zaroori hai k Shabe Qadr ke liye koi mustqil ibaadat Shariyat aur Sunnat se saabit nahi hai, Balki is bare mai Ummat ke afraad ko azaadi di gayi hai k WO Apni bashashat ke aitbaar se jis ibaadat mai zyada ji lage usme apna waqt sarf kare ,*
*Jesa k dekha jata hai k Shabe Qadr ke moqe per bahut se pamphlet aur ishtehaar lagaye Jate hai’n jinme baaz A’amaal aur Nawafil ke khaas fazail likhe hote Hai’n, WO Sab be-Asal hai’n, unko hargiz laazim na samnha jaye aur Khaas tor per Namaze Qaza e Umri ke naam se bataya jata hai k Jo Shakhs Shabe Qadr mai zikr karda khaas Duao’n ke saath 2 Raka’at Nifl padhega uski guzishta Saath Saal ki Farz namaze maaf ho jayengi , To ye bilkul Jhoot aur fraud hai , Nifl padhne se Farz namaze hargiz maaf nahi ho sakti ,Unki qaza zaroori hai ,*
*“__isliye musalman esi be asal aur pur fareb baato per bilkul yaqeen na kare balki Shabe Qadr mai har tarah ki Bid’at aur Rusumaat se door rehte hue ikhlaas aur khushu Khuzu ke saath ibaadat mai mashgool rahe taki Allah Ta’ala ki rehmat se faayda uthaya ja sake, ◐*
❖══✰═══❖
*◐☞_Shabe Qadr Ko Wasool Karne Ka Sabse Yaqeeni Zariya ◐*
*❖_ Shabe Qadr ki ibaadat ka sawab haasil karne ki tamanna har musalman ke Dil mai rehni chahiye aur Koshish karni chahiye k Shabe Qadr ka koi lamha bhi ibaadat se gaflat mai na guzre , isliye Allah Ta’ala ne hume “Aitikaaf ” ki ibaadat ataa farmayi hai k Jo Aadmi Ramzanul Mubarak ke Aakhri Ashre mai Aitikaaf ki sa’adat haasil kare WO Yaqeeni tor per Shabe Qadr se Mehroon nahi rahega,*
*❖_Shabe Qadr ko haasil karne ke liye Aitikaaf se zyada Yaqeeni zariya koi nahi hai, Agar Aap Motaqif nahi hai’n to kitni hi koshish kar le poori Raat ka Mukammal tor per ibaadat mai guzaarna nihayat mushkil kaam hai, Lekin Motaqif Shakhs Apne Aitikaaf ki bina per agar Sota bhi rahega to WO indallaah ibaadat guzaaro mai shumaar hoga aur uski Raat ka koi bhi lamha zaaya na hoga, isliye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Shabe Qadr ke husool ke liye Aitikaaf ka ahatmam farmate they,*
*❖_Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Ramzan ke pehle Ashre ka Aitikaaf farmaya fir darmiyani Aahre mai Aap ek Turki Khaima mai ( masjid ke andar ) Motaqif rahe ,Jiski Chhat per Chataai daali gayi thi , Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne apne daste Mubarak se chataai hata kar ek taraf farmayi aur logo se khitaab karna shuru kiya, log qareeb ho gaye to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k :-*
*“_ Maine Shabe Qadr ki talash mai Pehle Ashre aa Aitikaaf kiya fir doosre Ashre ka Aitikaaf kiya ,fir mujhe bataya gaya k WO Mubarak Raat Aakhri Ashre mai hai, Lihaza Jo Tumme se Aitikaaf karna chahe WO Aitikaaf kare ,”*
*"_Pas logo ne Aapke saath Aitikaaf kiya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,mujhe WO Shab is haal mai dikhayi gayi hai k uski Subeh ko mai Paani aur mitti mai sajda kar raha hu’n,* *"_Chunache 21 tareekh ki Subeh ki namaz mai barish hui, masjid ( kachchi thi ) jal thal ho gayi ,To jab Aap Sallallahu Alaihivasallam Namaz se faarig hue to Aapki peshani Mubarak aur naak mitti aur Paani se alood thi ye ikkisvi shab ka qissa hai ,*
*( Muslim Sharif -1/370 Bukhari Sharif -1/271)*
* isliye Jo hazraat Shabe Qadr ko Haasil karna chahte hai’n Unhe Aitikaaf ka ahatmam zaroor karna chahiye , Allah Ta’ala hum sabko is Mubarak Raat ki ibaadat ki Tofeeq ataa kare ,(Aameen )*
*Is Haqeer Gunahgaar Bande ko bhi Apni Khaas Duao’n mai Yaad Rakhiye,* ◐*
*❥═┄ ʀεғεʀεηcε ↴*
*📕Shabe Qadr Aur Uski Fazilat,*
❖══✰═══❖
*◐☞_Mubarak Raato me payi Jane wali Chand umoomi galtiyo’n Kï islaah ,*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*❉ 1- is Raat me ibaadat ka koi khaas tareeqa Saabit nahi ,Jesa Amuman samjha jata he ,Chunache baaz log is Raat Kï khaas Namaze bayan karte he’n k itni Raka’at padhi jaye ,Fala Raka’at me fala soorat itni martaba padhi jaye ,*
*⇏Khoob samajh Lena chahiye k esi koi Namaz ya ibaadat is Raat me Saabit nahi ,balki nifli ibaadat jis qadar ho sake is Raat me anjaam deni chahiye, Nifli Namaze padhe ,Qur’an Kareem Kï Tilawat kare ,Zikr kare, Tasbeeh padhe ,Duae’n kare, ye saari ibaadate is Raat me Kï ja sakti he, lekin koi khaas tareeqa saabit nahi ,*
*❉ 2:- Ba- Barkat Raato me jaagne ka matlab poori Raat jaagna nahi hota balki asaani ke saath jis qadar jaag kar ibaadat karna mumkin ho ibaadat karna chahiye aur jab neend ka galba ho to so Jana chahiye,*
*⇏Baaz log poori Raat jaagne ko zaroori samajhte he’n aur isko haasil karne ke liye poori Raat jaagne Kï bataklluf koshish karte he’n, aur jab neend ka galba hota he to Aapas me gap shap, Hansi mazaaq, Paan gutka aur Khane Peene Chaay Vagera ke andar mashgool ho jate he’n aur Masjid ke adaab v taqaddus Ko bhi pamaal kiya jata he ,*
*⇏Yaad rakhiye ! Is tarah fizooliyaat ya kisi gair Shara’i kaam me lag kar ” Neki barbaad aur Gunaah laazim ” ka misdaaq nahi banna chahiye ,*
*❉ 3:- Guroobe Aftaab hi se is Raat Kï ibtida ho jati he lihaza magrib hi se Mubarak Raato Kï barkat ko sametne me lag Jana chahiye, isha ke baad ka intezar nahi karna chahiye,*
*⇏Jesa k umoonan dekhne me aata he k log Raat ko jaagne ka matlab ye samajhte he’n k 11-12 baje Jab Bistar per Jane ka waqt hota he ,us waqt Bistar per Jane ke bajaye Masjid me jaa kar ibaadat Kï jaye ,is galat fehmi Kï Vajah se Raat ka ek bada hissa zaay ho jata he ,*
*❉ 4 :- Mubarak Raato me Jaagne ka matlab sirf jaagna nahi balki ibaadat karna he ,Chunache sirf Hansi mazaaq, gap shap Baat cheet ,Khane pine pilane ke daur me jaagte hue Subeh kar dena koi ibaadat nahi ,*
*⇏Balki baaz Avqaat in Azeem aur Ba-barkat Raato me bhi Jhoot, Chugal khori Geebat karne Sunne jese bade gunaho me shamil ho kar insaan aur bhi bade Azaab ka Mustahiq ban jata he, isliye infiradi tor per yaksui ke saath jis qadar asaani se mumkin ho ibaadat karni chahiye aur har qism ke Halle gulle se bilkul bachna chahiye,*
*❉ 5 :- Mubarak Raato me ijtimayi ibaadat ke bajaye infiradi ibaadat ka ahatmam karna chahiye isliye k in Raato me ijtimayi ibaadat ka Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se koi saboot nahi ,isliye Jo khuloos ,yaksui aur Allah Ta’ala ke saath raazo niyaaz infiradi ibaadat me naseeb ho sakta he Wo ijtimayi ibaadat me kaha’n ….!!*
❖══✰═══❖
*◐☞Mubarak Raato ko Kaise Guzare’n:*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*☞_ 1:-Tauba V istigfaar:-*
*❉_ Do Raka’at Salatut Tauba padh kar Sachchi Tauba kare, Apne Gunaaho per Sharmindgi v/Nadamat ke saath Allah Ta’ala se Sachche Dil se Maafi maange, Chunache Shabe Qadar ke bare me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma ne jab Rasulallah ﷺ se Sawal kiya k Ya Rasulallah ! Agar Mai’n Shabe Qadar paa lu to usme kya padhu, To Aap ﷺ ne unko koi bada Zikr ya koi badi Namaz aur Tasbeeh padhne ke liye nahi kaha balki ek Mukhtasar aur asaan si Dua Talqeen farmayi Jisme afu darguzar Kï darkhwast Kï gayi he ,:-*
*__ اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي _,*
*“_ Ey Allah Tu bahut maaf karne wala he, maaf karne ko pasand farmata he ,pas Tu mujhe maaf farma de ,”*
*📚 Tirmizi : 3513*
*❉ _ isse maloom hua k Ba- Barkat Raato me Sabse bada karne ka kaam umuman log nahi karte Wo ye he k Apne guzishta Zindgi per Sachche Dil Se Sharmshar ho kar Aainda Zindgi me amalan tabdeeli lane ka sachcha iraada kar le k Tauba istigfaar kiya jaye, Ye Amal Mubarak Raato Kï barkato ko sametne ka sabse aham aur sahi Tareeqa he ,*
*☞_2:- Namaze Ba- Jama’at Kï adaaygi*
*❉_ is Raat me Teen Namaze aati he’n, Magrib, isha aur Fajar ,in Teeno ko Jama’at ke saath Safe Avval me Khushu v Khuzu ke saath ada Kijiye, Kam Se kam in Namazo ko Jama’at ke saath ada karne wala Raat Kï ibaadat se Mehroom nahi rahega, Chuna'che Hadees Sharif me aata he ,Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem ﷺ ka ye irshad manqool he :-*
*⇏Jisne isha Kï Namaz jama’at ke saath ada Kï usne Goya Aadhi Raat ibaadat Kï aur Jisne Subeh Kï Namaz Jama’at ke saath ada Kï usne Goya usne poori Raat namaz padhi ,*
*📚 Muslim Sharif ,:- 656*
*☞_ 3:- Qaza Namazo Kï Adaygi ,*
*❉_ Zindgi me Jo Namaze ada karne se reh gayi ho unko qaza karna laazim hota he, Unki qaza na Kï jaye to kal Ba- Roze Qayamat unk hisaab dena hoga, Jesa pehle Tauba ke Sharayat me guzra un Shara’i Wajibaat ko ada karna aur unse Subuk dosh hona zaroori he ,*
*⇏Lihaza Apni Tauba Kï Takmeel Kï niyat Se Zindgi bhar Kï namazo ka hisaab kar ke unki qaza karne Kï fikr Kï jani chahiye aur Mubarak Raato me Nifli ibaadato me mashgool hone se ba dajaha behtar un namazo Kï qaza ko ada kiya jaye, in Sha Allah isme nawafil me mashgool hone se Zyada sawab haasil hoga ,Kyuki Nawafil na padhne ka hisaab nahi, Jabki Farz Namaz Kï agar qaza na Kï jaye to uska hisaab he ,*
*☞_ Qaza Namaze Padhne ka Tareeqa ::– _iska Tareeqa ye he k Baalig hone ke baad se le kar ab tak Jitni Namaze Chhooti he’n unka hisaab kare aur mumkin na ho to gaalib gumaan ke mutabiq ek andaza aur takhmeena lagaye aur usko kahi likh le ,uske baad uski qaza karna shuru kar de , Aur isme asaani ke liye yu’n kiya ja sakta he k Har waqti Namaz ke saath wahi ( Usi waqt Kï Jo zimme he’n ) qaza bhi padh te jaye aur Jitni Namaze qaza ada hoti jaye unko likhe hue record (Jo hisaab laga kar likha gaya tha ) me se kaat te jaye ,*
*⇏isse in Sha Allah Mahine me ek Mahine Kï Aur saal me ek saal Kï Namaze badi asaani ke saath qaza ada ho jayegi ,*
*☞_ Qaza Kï Niyat:- ⇏Qaza namazo me Niyat karne ka ek tareeqa ye he k Har Namaz me yu’n niyat kare k ” Mai’n apni Tamaam faut Shuda Namazo me Jo pehli Namaz he uski qaza karta hu’n ,” Kyuki har pehli Namaz qaza kar lene ke baad usse agli khud ba khud pehli ban jayegi ,*
❖══✰═══❖
*◐☞_Kuchh Fazilat wale A’amaal-:*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*❉_ Jesa k pehle arz kiya ja chuka he k Mubarak Raato me koi makhsoos Amal to saabit nahi, Albatta fazilat wale A’amaal Jinme Kam waqt ke andar Zyada Nekiyo’n ka zakheera Jama kiya ja sakta he ,Unko bager kisi takhsees v taiyyan ke Akhtyar kijiye taki zyada se Zyada Nekiya’n Jama Kï ja sake ,*
*❉_ 1:- Avvabeen Kï Namaz ::– Magrib ke baad Avvabeen Kï Namaz Jiski kam se kam 6 Raka’at he aur Zyada se Zyada 20 he’n ,*
*⇏Aap koshish Kijiye k Mubarak Raat Kï barkato’n ko sametne ke liye 20 Raka’at ada Kijiye Hadees ke mutabiq 12 saal Kï ibaadat ka sawab haasil hota he ,*
*❉_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,:-Jisne Magrib Kï Namaz ke baad 6 Raka’at is tarah ada Kï k unke darmiyan koi buri Baat na Kï ho to unka sawab baarah (12 ) saal Kï ibaadat ke barabar hota he ,*
*📚 Tirmizi :- 435*
*❉_ Yaad rahe k Avvabeen Kï Namaz Kï ye fazilat sirf Mubarak Raato me nahi balki poore saal bhar is fazilat ko sirf Chand minuto me asaani se haasil kiya ja sakta he, Mubarak Raato me ese A’amaal ka to aur bhi Zyada ahatmam aur tavajjoh se Akhtyar karna chahiye ,*
*☞ _2 :- Salaatut Tasbeeh Kï Namaz*
*❉_ Salatut Tasbeeh Kï 4 Raka’ate he’n, Jinko ek salaam se padha jata he, is namaz Kï Ahadees me badi fazilate’n manqool he’n, insaan iske zariye kam se kam waqt ke andar zyada se Zyada NAFA haasil kar sakta he,*
*⇏isliye saal bhar me waqtan fa waqtan iske padhne Kï koshish karni chahiye aur Mubarak Raato me to isko aur bhi Zyada ahatmam Se padhna chahiye aur ye koi mushkil nahi ,bas Dil me Neki ke husool ka jazba Shoq hona chahiye, Allah Ta’ala Amal Kï Tofeeq ATA farmaye,(Aameen ),*
*☞ Salatut Tasbeeh Ke Fazail :–*
*❉ 1 – Ye wo NAMAZ he Jiske padhne Kï barkat Se 10 qism ke Gunaah maaf ho jate he’n,*
*⇏Salat-ul-tasbeeh padhne se 1-agle , 2-pichle , 3-purane , 4-naye, 5-galti se kiye huye ,6- jaan bujh kar kiye huye,7- chote, 8- bade, 9- chhup par kiye huye ,10-aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf hote he’n ,*
*❉ 2: — Ye Wo Namaz he Jiske padhne Kï Jiske bare me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, :- Agar Rozana ,hafta ,Mahina ya kam se kam Saal me bhi agar padh sakte ho to to apni poori Zindgi me kam Se kam ek martaba padh lo, isse is Namaz Kï Ahmiyat ka andaza lagaya ja sakta he ,*
*⇏3 :– Ye Wo Namaz he Jiske bare me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k agar tum saari Duniya ke logo se bhi Zyada Gunahgar honge to tumhare Gunaah maaf kar diye jayenge,*
*❉ 4 :- Ye Wo Namaz he Jise Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne apne Chacha Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ko batate hue is Namaz ko Tohfa ,bakhshish aur khush khabri qaraar diya,*
*⇏5:- Ye Wo Namaz he Jisko padhte hue Bande ko 300 martaba Teesra Kalma Kï Soorat me Allah Ta’ala Kï Hamdo Sana karne Kï Sa’adat haasil hoti he ,*
*_Halanki Ek martaba Teesra Kalma padhne per Jannat me ek darakht lag jata he ,*
*_Teesra Kalma Allah Ta’ala ko sabse Mehboob Kalma he ,*
*_ Jannat ek chatiyal maidaan he aur Teesra Kalma Jannat ke Podhe he’n,*
*_ Teesra Kalma ke har ek Kalme ka sawab Uhad pahaad se Zyada he,*
*_ Teesre Kalme ka har Kalma A’amaal Naame me tulne ke aitbaar se sabse zyada wazni he,*
*❉ 6 :– Ye Wo Namaz he Jiska har zamane me Ulma e UMMAT, Muhaddiseen, Fuqha aur Soofiyo ne ahatmam kiya he ,*
*❉ 7 :- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Hazrat Abdul Azeez bin Ravvad Reh. Farmate he’n k Jiska jannat me Jane ka iraada ho uske liye zaroori he k Salatut Tasbeeh ko mazbooti se pakad le,*
*❉_ 8 :- Ye Wo Namaz he Jiske bare me Hazrat Abu Usman Hyri Reh. Farmate he’n k Mai’n ne musibato aur gamo ke izaale ke liye Salatut Tasbeeh Jesi koi cheez nahi dekhi ,*
*❉ 9 :–Ye Wo Namaz he Jiske bare me Allama Taqiuddin Sabki Reh. Farmate he’n k Jo Shakhs is Namaz ki Fazilat v Ahmiyat ko Sun kar bhi gaflat Akhtyar kare Wo Deen ke bare me Susti karne wala he ,Sulha ke kaamo se door he ,Usko pakka Aadmi na samjha jaye,*
*📚 Fazail -E – Zikr ,*
*◐☞_Qayamul Layl ( Tahajjud ki Namaz ) Ka Ahatmam,*
*❉ _Tahajjud Fara’iz ke baad sabse Afzal Namaz he, Saal bhar balki Zindgi bhar iska Ahatmam karna chahiye aur Fazilat v Barakat wali Raato me iska aur bhi zyada Shoq V zoq aur tavajjoh se Ahatmam karna chahiye,*
*☞ _Tahajjud Kï Fazailat*
*❉ _Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he :- “Farz Namaz ke baad sabse Afzal Namaz Wo he Jo Raat ke darmiyan padhi jaye ,”*
*📚 Musnad Ahmad : 8507*
*❉_ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,:-Raat ke qayaam yani Tahajjud ko apne ouper laazim kar lo kyunki ye Tumse pehle Nek logo ka Tareeqa he ,Tumhare Rab ke qurb ka zariya he, Gunaho ko mitaane wali aur Gunaho ko rokne wali he ,”*
*⇏Ek Rivayat me iske saath ” Jism Kï Bimariyo’n ko door karne wali he ,” manqool he,*
*📚 Tirmizi : 3549*
*❉ _Hazrat Amru bin Absa Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n :-Banda Apne Rab ke sabse zyada qareeb us waqt hota he Jab Wo Raat ke Akhri pahar apne rab ke saamne haazir hota he ,Pas agar tum un logo me se hone Kï taaqat rakhte ho Jo us Ghari me Allah Ta’ala ko yaad karte he’n to Zaroor ho jao ,”*
*📚 Tirmizi : 3579*
*❉_ Hazrat Abu Saieyd Khudri Raziyallahu Anhu se Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad manqool he k , Teen Aadmi ese he’n Jinhe dekh kar Allah Ta’ala khush hote he’n Ek Wo Shakhs jab Wo Raat KO Namaz me khada hota he ,Doosre Wo log jab Wo Namaz me saf baandhte he’n, Teesre Wo log Jab Wo Jihaad me Dushman Se qitaal karte hue saf baandhte he’n,*
*📚 Mishkaat ul Musabeh, :1228*
*❉ _Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate he’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya gaya k Konsi Dua sabse zyada suni jati he ( yani qubool hoti he ),*
*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,Raat ke Akhri pahar aur Farz Namazo ke baad maangi Jane wali Dua ,”*
*📚 Tirmizi : 3499*
*❉ _Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n, Beshak Jannat me ESE baala Khane he’n Jinka Zahiri hissa andar se aur Andruni hissa bahar se Nazar aata he,*
*_Ek Arabi Khade hue aur Sawal kiya ,*
*Ya Rasulallah ! Wo kiske liye he’n ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, Uske liye Jo Kalaam me Narmi rakhe ,Khana khilaye ,Pe dar Pe Roze rakhe aur Raat ko Namaz padhe Jabki log so rahe ho ,”*
*📚 Tirmizi ; 1984*
*❉_ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal farmate he’n,Meri ummat ke Sabse mu’azziz log Qur’an e Kareem ke Hafiz aur Tahajjud guzaar he’n ,”*
*📚 Shobul imaan : 2447*
*❉_ Hazrat Abdullah bin Salaam Raziyallahu Anhu Jo Yahudiyo’n ke ek bade Aalim the ( Islam se pehle ) unhone Sabse pehli Martaba jab Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka didaar kiya to farmate he’n k Mai’n samajh gaya k ye Chehra kisi Jhoote ka hargiz nahi ho sakta aur sabse Pehle Jo Baat Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmayi Wo ye thi ,:–Ey Logo ! Aapas me Salam ko felaao ,Khana khilao, Silah Rahmi karo ,Raat ko Namaz padho Jabki log So rahe ho’n,Tum jannat me salaamti ke saath Dakhil ho jaoge ,”*
*📚 Tirmizi : 2485*
*❉_ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se marfuan Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal he k Jo Shakhs Raat ko kasrat Se Namaz padhta he Din ko uska Chehra Haseen hota he,*
*📚 Shobul imaan ,: 2447*
*❉_ In tamaam Fazail ko har Shakhs haasil kar sakta he, Jiska Tareeqa ye he k Apne aapko Tahajjud ka paband banaya jaye aur ye mamool Zindgi bhar apnane ka he, Bilkhusoos Mubarak Raato me is Amal ko aur bhi zyada Ahatmam se karna chahiye aur iska Tareeqa ye he k 2-2 Raka’at karke 8 Raka’at padho jaye aur usme Jo Soorte’n bhi yaad ho unki zyada Tilawat Kï koshish Kï jaye ,*
❖══✰═══❖
*◐☞_Salatut Tasbeeh Ka Tareeqa ✦*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*❉__iske Do tareeqe manqool he’n ,Kisi bhi tareeqe ke mutabiq ye Namaz padhi ja sakti he ,*
*☞ Pehla Tareeqa ,*
*❉ _is Namaz ko padhne ka Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Mubarak se Tirmizi Sharif me mazkoor he ye k, Takbeere Tehrima ke baad Sana Yani ” Subhaanaka llahumma ” padhe Fir Tasbeeh yani*
*”سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ _,*
*” Subhaanallahi Wal hamdulillahi Wa laailaaha illallahu Wallaahu Akbar “ 15 martaba padhe ,*
*⇏ ,أعوذ بالله من الشيطان الرجيم _,*
*” A’uzubillahi minash shaytaanir rajeem ,”*
*_ ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ _,*
*” Bismillahir rahmaanir raheem “Padhe Fir ” Alahamdu Sharif aur Soorat padhe ,fir qayaam me hi Ruku me Jane Se pehle hi Tasbeeh 10 martaba padhe,*
*⇏Fir Ruku kare aur Ruku ki Tasbeeh ke baad wahi Kalamaa 10 martaba kahe, fir Ruku se uth kar qoma me ” Sami’allah…..” Ke baad 10 baar aur dono Sazdo me Sajde Kï Tasbeeh ke baad 10 – 10 baar aur dono Sajdo ke darmiyan bethne Kï haalat me Yani Jalse me 10 baar wahi kalamaate Tasbeeh padhe ,is tarah har Raka’at me 75 martaba aur 4 Raka’at me 300 martaba ye kalamaat Tasbeeh ho jayegi ,*
*⇏Aur agar in kalamaat ke baad ”*
*_ وَلا حَوْلَ وَلاَ قُوَّة ِ الَّا بِاللّهِ الْعَلِىّ الْعَظِيْم _,*
*Wa la hawla wa la quwwata illa bi-llahi-l-aliyyi-l-azeem “ bhi mila le to behtar he kyunki isse bahut sawab milta he aur ek Rivayat me in alfaz Kï zyadti manqool he,*
*☞ Doosra Tareeqa ,*
*❉_ Doosra Tareeqa Jo Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se Tirmizi Sharif me manqool he ,Wo ye he k ” Sana “ ke baad aur Alhamdu Sharif se pehle kisi Raka’at me in kalamaate Tasbeeh ko na padhe balki har Raka’at me Alhamd aur soorat padhne ke baad 15 martaba padhe ,aur Ruku aur qoma aur dono sajdo aur Jalsa me ba tarteeb 10-10 martaba padhe aur doosre Sajde ke baad beth kar yani jalsa istrahat me 10 martaba padhe ,is tarah har Raka’at me 75 martaba padhe aur dono qa’ado me” Attahiyaat ” se pehle padh le ,*
*❉ _ Ye Dono Tareeqe Sahi hai'n Lekin baaz Fuqha ne Doosre Tareeqe ko Tarjeeh di hai kyunki Hadees Marfoo se saabit hai, Behtar ye hai k Kabhi ek Rivayat per Amal kare aur Kabhi doosri per taki dono per Amal ho jaye, Salatut Tasbeeh me koi bhi soorat padhi ja sakti he ,Albatta alal tarteeb ” Takasur ,Asr , Kafiroon aur ikhlaas ” aur kabhi ” izazul ,aadiyaat ,izaajaa aur ikhlaas ” ka padhna behtar he,*
*❉ _ Agar Tabeeh Kalmaat bhool kar kisi jagah 10 se kam padhe jaye ya bilkul na padhe jaye to isko doosri jagah yani Tasbeeh padhne ke aage wale moqe me padh le taki tadaad poori ho jaye lekin Ruku me bhoole hue Kalmaat Tasbeeh Qoma me na padhe balki doosre Sajde me padhe Kyu'nki Qoma aur Jalsa ka ruku v Sajda se Taveel karna makrooh hai, Kalmaat Tasbeeh ko Ungliyo per Shumar na karna chahiye Balki agar Dil ke saath Shumar kar sakta ho is tarah k namaz ki huzoori me Farq na aaye to yahi behtar hai varna ungliya'n daba kar Shumar kare,*
*"_ Salatul Tasbeeh me Tasbihaat ko haatho se shumaar karna durust nahi, aur Agar yaad na rehta ho to ungliyo'n ko daba kar yaad rakha ja sakta hai _," ( Durre Mukhtar -2/28)*
*📓 Fazaile Zikr _,
❖══✰═══❖
*◐☞_Magfirat me Rukawat wale Umoor Se Tauba ,*
┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
*⇏Shabe Qadr bahut hi Ba-Barkat aur Azeem Raat he Jesa k iski fazilate tafseel Se guzar chuki he’n lekin kuchh ese bhi Bad qismat log hote he’n Jo is Raat Kï barkat aur bil khusoos Sabse aham cheez magfirate Khudawandi se mehroom reh jate he’n, Wo Kon Log hai'n ? Ka'i Hadeeso me unki Nishan dahi ki gayi hai, Jinse Un Mehroom hone walo ki magfirat se Mehroom reh jane ke asbaab bhi maloom hote hai'n, Ese Asbaab aur Umoor ko ma'ane magfirat Umoor kaha jata hai, jinme Shamil hone se har soorat me bacha jaye aur agar khuda na khwasta koi mubtila ho to foran Tauba karke Allah Ta’ala Kï taraf ruju karna chahiye, Varna is Azeem aur Ba- barkat Raat me magfirat haasil na ho sakegi _,"*
*⇏(1)_MuShirk ( Shirk Karne wala)*
*(2)_ ,Keena rakhne wala,*
*(3)_Walden ka nafarmaan ,*
*(4)_qat'a rehmi Karne wala ( rishte todne wala )*
*(5)_ izaar takhno se niche latkane wala ( yani Lungi Pajama Paint Takhno se niche latka kar rakhne wala )*
*(6)_ Sharaab ka aadi ,*
*(7)_ Qaatil,*
*(8)_ aur Zaani ,*
*"_Allah Ta’ala Tamaam Musalmano Kï in Gunaho Se Hifazat farmaye, Aameen,*
*⇏Dua Kijiye Allah Ta'ala Mujh Gunahgaar ko bhi, Aapko bhi aur Har Momin ko in Magfirat wale A'maal ki pabandi naseeb farmaye aur Mubark Raato ki Barkaat v Magfirat Naseeb farmaye, Aameen _," ( Talibe Dua Admin Haqq Ka Daayi)*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻Follow for Join WhatsApp Channel*
╨─────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
*❥✍ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments