ASR E HAAZIR -(ROMAN)

🎍﷽ 🎍*
*⌛ASR -E- HAAZIR ⌛* 
*❀ HADEES KE AA'INE ME ❀
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Qayamat ki Khaas Alamaat:-*

*❉ _ Qayamat Ki Khaas Alamaat me SE hai : Badkaari, Bad Zubaani, Qat’a Rehmi ( Ka Aam ho Jana) Amanatdaar Ko Khayanatdaar aur Khaa’in ko Amanatdaar qaraar dena _,”*

*📚 Kanzul Ummal- 14/220_,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ – Halakat Ka Khatra Kab ?*

*❂_ Ummul Momineen Hazrat Zenab bint Zahash Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Aap ﷺ se daryaft kiya gaya,” Ya Rasulallah ﷺ ! Kya hum Esi Haalat me bhi Halaak ho sakte hai’n Jabki Hamare Darmiyan Nek Log Mojood ho'nge ?*
*Farmaya, ” Haa’n ! Jab (Gunaho’n ki) Gandgi zyada ho jayegi_”*

*📓 Sahih Bukhari- 2/1046, Sahih Muslim- 2/388_,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞– Makro Fareb ka Daur aur Na-Ahlo ki Numa’indgi ●*

*❉ __ Logo’n per Bahut Saal ese aayenge Jinme dhokha hi dokha hoga, us waqt Jhoote ko Sachcha samjha Jayega aur Sachche ko Jhoota, Bad- diyanat ko Amanatdar Tasavvur kiya Jayega aur Amanatdaar ko Bad-diyanat, Gire pade Na-Ahal Log Qaum ki taraf se numa’indgi karenge,*

*❉ _Arz kiya gaya,:-” Gire pade Na-ahal log se kya muraad he?*
*Farmaya,:- ”_ Wo Na-Ahal aur Be-qeemat Aadmi Jo Jamhoor ke Aham Ma'amlaat me Raayzani kare’n,*
*→Abu Harayra Raziyallahu Anhu se rivayat,*
 
*📚_ Kanzul Ummaal,, 14/216, Ibne maaja,, 292_,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Qaario’n ki Bohtaat ●*

*❉ __ Meri Ummat per ek zamana aayega jisme Qaari bahut honge, magar Faqeeh kam, ilm ka qahat ho jayega aur Fitna v Fasaad ki Kasrat, Fir uske baad ek aur zamana aayega jisme meri Ummat ke ese log bhi Qur’an padhenge jinke Halaq se niche Qur’an nahi utrega, ( Dil Qur’an ke Faham aur Aqeedat v Ahatram se Khali honge)*

*❉ _Fir uske baad ek aur zamana aayega jisme Allah ta’ala ke saath Shareek thehrane wala Momin se daava e toheed me Hujjat baazi karega, ”*

*❉ _ Hazrat Abu Harayra Raziyallahu Anhu se rivayat,*
*📚 Kanzul Ummaal,, 14/217_,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞- Badkaari Aqalmandi Ka Nishan ●*

*❀_ Logo’n per ek Zamana aa’ega jisme Aadmi ko majboor kiya jaa’ega k ya to Ahmak ( Mulla) Kehlaye ya Badkaari ko Akhtyar kare,*

*❀_Pas Jo shakhs ye Zamana paye use chahiye k Badkaari akhtyar karne ke bajaay Nakku ( Ahmak) kehlane ko pasand kare,*

*→ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se rivayat ▣*
 
*📚 Kanzul Ummaal,, 14/ 218 _,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Insaniyat Ki Talchhat ●*

*❉_ Tumhe is tarah chha’nt diya jayega jis tarah achchhi khajure’n raddi khajuro’n se chha’nt li jati hai’n,*

*❉_Chunache Tumhare achchhe log uthte jayenge aur Bad-tareen log baqi reh jayenge, Us waqt ( gam se ghutkar) tumse mara ja sakta he to mar jana,*

*❉→ Hazrat Abu Harayra Raziyallah Anhu se Rivayat,▣*
*📚_ Ibne maaja, 292_,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Mardo’n aur Aurto’n ki Awaargi●*

*❉ __ Kaash me jaan leta k mere baad meri ummat ka kya haal hoga ( aur unko kya kuchh dekhna padega),*

*❉ → Jab unke Mard akadkar chala karenge aur unki Aurte’n ( sare bazaar) itraati firengi,*

*❉ → aur kaash me jaan leta, jab meri ummat ki do qisme ho ja’engi, ek qism to wo hogi jo Allah ta’ala ke raaste me seena sipar honge, aur ek qism wo hogi Jo Gairullah hi ke liye sab kuchh karenge,*

*📚 Kanzul Ummaal,, 14/219_,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Qurbe Qayamat aur Ro’iyate hilaal ●*

*❉ __ Qurbe Qayamat ki ek nishani ye he k Chaand pehle hi dekh liya jayega,*
*→ aur (Pehli Tareekh ke Chaand ko) kaha jayega k ye Doosri Tareekh ka he,*

*❉ → aur Masjido’n ko guzargah bana liya ja’ega aur nagahani maut aam ho ja’egi,*

*❉ ⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat,▣*
 
*📚 Kanzul Ummaal,, 14/220_*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ – Kiraaye ke Gawah aur Paiso ke Halaf ●*

*❉ _ Logo'n per esa zamana bhi aayga k Sachcho’n ko Jhoota aur Jhooto’n ko Sachcha kaha jayega, aur Khayanat Pesha logo’n ko Amanatdar aur Amanatdar logo’n ko Khayanat Pesha batlaya jayega,*

*❉ → Bager Talab ke log gawahiya’n de’nge aur bager halaf uthwaye halaf uthayenge,*

*❉ → aur Kamine Baap Daada ki Aulaad Duniyavi aitbaar se sabse zyada khush naseeb ban jayengi Jinka na Allah per imaan hoga na Rasool per,*

*📚 Majmu-ul-zawa’id,, 7/283, Jaami’a Sageer,, 5/345,*
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Deen ke Liye Mushkilaat Ka Pesh aana ●*

*❉ _ Logo’n per Ek Zamana Aayega k Jisme Apne Deen per Saabit Qadam rehne wale ki Misaal Esi hogi jese koi Shakhs Aag ke Angaro'n aase Mutthi bhar le,*

*❉ ⇨ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat,▣*

*📚 Tirmizi,, 2/50 _,* 

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Nek logo’n se Mehrumi ka Nuqsaan ●*

*❉ _ Nek Log Ek ke baad Ek Rukhsat hote jayenge jese chhatayi ke baad raddi jo ya khajure’n baqi reh jati hai’n,*

*❉ → Ese Nakaara Log reh jayenge k Allah ta’ala unki koi parvaah Nahi karega,*

*📚_ Sahi Bukhari,, 2/952,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞- Jaahil Aabid aur Fasiq Qari ●*

*❉ _ Aakhri zamane me be-ilm ibadatguzar aur be-Amal Qari honge,*

*❉ _ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat _,*
*📚_ Kanzul Ummaal,, 14/ 222_,*

*☞ - Masajid per Fakhr ●*

*❉_ Qayamat qaa’im na hogi yaha’n tak k log Masjido’n me ( bethkar ya Masajid ke bare me) fakhr karne lagenge,*

*❉ _ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat _,*
*📚 Ibne Ma'aja,,, 54_,*
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Do Jahannami Giroh_,*

 *❉→Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ  ka irshad naqal karte hai’n k  Do Jahannami giroh ese hai’n jinko Maine nahi dekha ( baad me paida honge )*

*❉→Ek woh giroh jinke haatho me bell (ox) ki dum jese kode honge wo in kodo ke saath logo’n ko ( nahaq) maarenge,*

*❉→ Doosre wo Aurte’n Jo ( kehne ko to) libaas pehne hongi lekin ( chunki libaas bahut bareek ya satar ke liye ) nakaafi hoga, isliye woh dar haqeeqat barhana hongi,*
*→ logo’n ko apne jism ki numa’ish aur libaas ki zeba’ish se apni taraf maa’il karengi aur khud bhi Mardo’n se ikhtlaat ki taraf maa’il hongi, unke sar ( feshan ki vajah se) bakhti ount ke kohaan jese honge,*

*❉→ ye Aurte’n na to jannat hi me dakhil hongi, na jannat ki khushbu hi inko naseeb hogi, halanki jannat ki khushbu door door se aa rahi hogi, ”*

*❉_ Abu Huraira Raziyallahu Anhu Se Rivayat _,*
*📚_ (Sahi Muslim- 2/205)*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Aalam-e-islaam ki Past- Haali aur Uske Asbaab _◆*

*❉_ Hazrat Sauban Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya (jiska Mafhoom hai k):-*
*→”Wo Waqt Qareeb aata he jabki Tamaam Gair Qaume Tumhe mitane ke liye (milkar) Saazishe karengi aur ek doosre ko is tarah bulayengi jese dastarkhwan per khana khane wale (lazeez ) khane ki taraf ek Doosre ko bulate hai’n, ”*

*❉→Kisi ne arz kiya, Ya Rasulullah ! Kya Hamari Qillate Tadaad ki vajah se Hamara ye Haal hoga,”*
*→ Farmaya,”Nahi, Balki Tum us Waqt Tadaad me Bahut honge, Albatta Tum Sailaab ke jhaag ki Tarah Nakaara ho'nge, yaqeenan Allah Ta’ala Tumhare Dushmano ke Dilo'n se Tumhara raub aur Dabdaba Nikaal dega aur tumhare Dilo'n me Buzdili daal dega,”*

*❉→ Kisi ne arz kiya,-” Ya Rasulullah ! Buzdili se kya muraad he? Farmaya, ”Duniya ki Muhabbat aur Maut se Nafrat, ”*

*📚_ Abu Dauod,, 590_,*
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Na- Khalf aur Na-layaq Ummati _◆*

*❉ _ Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n, Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya (jiska Mafhoom hai):-*
*”_ Mujhse pehle jis Nabi ko bhi Allah ta’ala ne uski ummat me mab’ous farmaya, uski ummat me kuchh mukhlis aur kuchh khaas rufqaa zaroor hue Jo uske hukm ki pervi karte,*

*❉ → fir unke baad Ese na-khalf payda hote Jo kehte kuchh aur karte kuchh aur, Jo kuchh unko hukm diya gaya tha uske khilaf amal karte, ( isi tarah is ummat me bhi ese na-khalf paida ho'nge Jo islam ka Naam to lenge lekin unka amal uske khilaf hoga )*

*❉→ Pas Jo shakhs ( ba sharte qudrat) haath se unhe Rokega wo momin he aur Jo zuban se unko Roega wo bhi momin he aur Jo unki bad Amali ko kam se kam Dil se hi bura samjhe wo bhi momin he, aur iske baad to raa’i ke daane ke barabar bhi imaan nahi rehta, ”*

*📚_ Sahi Muslim,, 1/52_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Dajjali Fitna aur Naye Naye Nazariyaat ●*

*❉ __ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se marvi he k Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :-*
*” _Akhri Zamane me Bahut se jhoote Makkaar Log ho'nge Jo Tumhare Saamne ( islam ke Naam se Naye Naye Nazariyaat aur ) Nayi Nayi Baate Pesh karenge Jo na Kabhi Tumne suni hogi aur na Tumhare Baap Daada ne,*

*❉ _Unse bachna ! unse bachna! Kahi wo tumhe gumraah na kar de aur fitne me na daal de _,*

*📚_ Sahi Muslim,, 1/10,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Ulma E Su ka Fitna ●*

*❉ _ Hazrat Ali Karamullahu Vajhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya :-*
*"→Anqareeb Ek Zamana aata hai Jisme islaam ka sirf Naam Baqi reh jayega aur Qur'an ke sirf Alfaaz Baqi reh jayenge, Unki masjide badi Ba-ronaq hongi magar rushd v hidayat se khali aur Viraan,*

*❉ → Unke (Naamo Nihaad) Ulma Asmaan ki Nili chhat ke niche basne wali Tamaam makhlooq se badtar ho'nge, Fitna Unke yaha’n se niklega aur unhi me lautega,*
*( yani wohi fitno’n ke baani bhi ho'nge aur wohi markaz v mahoor bhi),*
 
*📚 Ravah Bahyqi fi Shobul imaan, Mishkaat Shareef - Safa 38,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Ahle Haq ka Gair Munqat’a Silsila _●*

*❉ ⇨ Haztat Mu'aviyah Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Nabi Kareem ﷺ Se Suna he k Aap ﷺ farmate the k,*
 *” Meri Ummat me Ek Jama’at hamesha Allah Ta’ala ke Hukm Per Qaa’im rahegi, Unhe koi Nuqsan nahi Pahu'ncha Sakega, Na Unki madad se daste-kash hone wale, Na unki mukhalfat karne wale,*

*❉ → Yaha’n tak k Allah Ta'ala ka Vaada (Qayamat) aa jayega aur Wo Himayate haq Per Qaa’im ho'nge, ”*

*📚_ Mishkaat Sharif, 583_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Ahle Haq aur Ulema E Su ke Darmiyan Faasla ●*

*❉ __Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Huzoor ﷺ se Rivayat karte hai’n k Aap ﷺ ne farmaya:-*

*❉→”Ulma kiraam Allah ke Bando'n par Rasoolo’n ke Ameen aur Hifazate Deen ke Zimmedar hai’n, Ba sharte k Wo iqtedaar (Power) se ghul mil jaye’n aur Deeni Taqazo’n ko pashe pusht daalte hue Duniya me na ghus pade,*

*❉→ Lekin jab Wo Hukmrano se shero shakar ho gaye aur Duniya me ghus gaye to Unhone Rasoolo’n se Khayanat ki, fir unse bacho aur Unse Alag raho, ”*

*📚 Kanzul Ummaal,,, 10/ 204_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ -Aur Zamana Budha ho Jayega ●*

*❉ _ Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ ka irshad naqal karte hai’n k :-*
*→ ”Qayamat qaa’im na hogi yaha’n tak k Allah ki kitaab ( par amal karne) ko aar thehraya jayega aur islam ajnabi ho jayega yaha’n tak k logo’n ke darmiyan keena parvari aam ho ja’egi, aur yaha’n tak k ilm utha liya ja’ega aur zamana budha ho ja’ega, insaan ki umar kam ho jayegi, maah v saal aur galla v samraat me ( be barkati aur) kami ru’numa hogi,*

*❉→ Na qabile aitmaad logo’n ko ameen aur amanatdaar logo’n ko Na qabile aitmaad samjha jayega, fasaad aur qatl aam hoga aur yaha’n tak k Ou'nchi Ou'nchi imaarto par fakhr kiya jayega aur yaha’n tak k Sahibe Aulaad Aurte’n gamzada ho'ngi aur be-aulaad khush hongi,*

*❉ → Aur Zulm, Hasad, Lalach ka daur daura hoga, log halaak ho'nge, jhoot ki bohtaat hogi aur Sachchayi kam, yaha’n tak k logo’n ke darmiyan baat baat me naza aur ikhtilaf hoga, khwahishat ki pervi ki jayegi, atkal, pachu faisle diye jayenge, Barish ki kasrat ke bavjood galle aur fal kam honge,*

*❉ _ ilm ke sote khushk ho jayenge aur jahalat ka Sailaab umad Aayega, Aulaad Gam v Gusse ka mojib hogi aur mosame sarma me garmi hogi, aur yaha’n tak k badkaari Elaaniya hone lagegi, Zameen ki tanabe khee'nch di jayengi, khateeb aur muqarrir jhoot bakenge, hattaki mera haq ( mansabe tashrih ) meri ummat ke badtareen logo’n ke liye tajveez karenge, pas jisne unki tasdeeq ki aur unki tehqeeqat per Raazi hua use jannat ki khushbu bhi naseeb nahi hogi,” “Ma’azallaah ,”*

*📚 Kanzul Ummaal,, 14/ 245_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Duniya ke Liye Deen Faroshi ●*

*❉ _ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasoole Aqdas ﷺ ne irshad farmaya:-*
*→”Un Tareek fitno ki Aamad se pehle pehle Nek A'amaal kar lo Jo Andheri Raat ki tah ba tah Tareekiyo'n ke misl ho'nge,*
*→ Aadmi subeh ko momin hoga aur Shaam ko kaafir, ya Shaam ko momin hoga aur Subeh ko kaafir, Duniya ke chand Tako ke badle apna Deen bechta firega, ”*

*📚_ Sahi Muslim,, 1/75,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Qayamat kab hogi ? ●*

*❉ ⇨ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he is Asna me k Nabi Kareem ﷺ Kuchh bayaan farma rahe they, achanak ek Araabi aaya aur arz kiya,  (Ya Rasoolallah ﷺ) !Qayamat kab hogi?*
*→ Farmaya, -Jab Amanat uth jayegi,*
*→ Araabi ne kaha, Amanat uth jane ki soorat kya hogi?*
*→ Farmaya,-Jab Akhtyaraat Na-Ahlo ke supurd ho jayenge to Qayamat ka intezar Karo,”*

*📚 _ Sahi Bukhari,,, 1/14_* 

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Hamjins Parasti ka Rujhaan ●*

*❉ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Huzoor ﷺ ka irshad naqal karte hai’n k:-*
*→”Jab meri Ummat Paa'nch Cheezo ko Halaal Samajhne lage'ngi to Un Par Tabahi Naazil hogi,*

*❉→Jab Unme Bahami Laan Taan Aam ho jaye, Mard reshmi Libaas Pehne lage, Gaane Bajane aur Naachne wali Aurate’n rakhne lage, Sharabe Peene lage, Aur Mard Mardo’n se aur Aurte’n Aurto’n se jins Taskeen Par kifayat karne lage,*

*📚_ Ravaah Bayhiqi fi Shobul imaan, Kanzul Ummaal,, 14/226_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Naach Gaane ki Mehfile, Bandaro aur Khinziro ka Majma●*

*❉ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Aan’Hazrat ﷺ se Rivayat karte hai’n k- Akhri Zamane me Meri Ummat ke Kuchh Log Bandar aur khinzeer ki shakal me masakh ho jayenge, Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya-”Ya Rasulallah ! Kya wo Toheed v Risalat ka iqraar karte honge?*

*❉→ Farmaya- ”Haa’n, Wo (baraye Naam) Namaz, Roza aur Hajj bhi karenge, Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya,-” Ya Rasulallah ! Fir unka ye haal kyu hoga, ?*

*❉→Farmaya,-”Wo Aalaate mosiqi, Raqasa Aurto’n aur Tabla aur Sarangi Vagera ke Rasiya ho'nge aur Sharabe Piya Karenge, ( bil-akhir) wo Raat bhar masrufe lahu v la’ib rahenge aur Subeh hogi to Bandar aur khinzeero ki shakal me mashkh ho chuke honge,*

*📚 Ravaah Saied bin Mansoor– Haliyatul Awliya -3/191, Fatahul Baari, 10/94_* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Haraam Cheezo me Khana Saaz Taveele’n ●*

*❉ _ Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu Huzoor Aqdas ﷺ  se Rivayat karte hai’n k:-*
*"_ Jab ye ummat Sharaab ko Mashrub ke Naam se, Sood ko Munafe ke Naam se aur Rishwat ko Tohfe ke Naam se Halaal karegi aur maale Zakaat se Tijarat karne lagegi to ye Unki halakat ka Waqt hoga Gunaho'n me Zyadti aur Taraqqi ke Sabab_,”*

*📚_ Kanzul Ummaal,, 14/226_*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Badkaari aur Be- Haya'i ka Naam Saqafat aur Funune Lateefa ●*

*❉ _Abdurrahman bin Ganam Ash’ari Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mujhse Abu Aamir ya Abu Malik Ash’ari (Raziyallahu Anhum) ne bayan kiya, Ba-khuda unhone galat bayani nahi ki, k unhone Aan’Hazrat ﷺ ko ye Farmate hue suna k,*

*❉→Yaqeenan meri Ummat ke Kuchh Log Ese bhi ho'nge Jo Zina, Resham, Sharaab aur Alaate mosiqi ko (khushnuma Tabeero se) Halaal kar lenge, aur Kuchh Log Ek Pahaad Ke Qareeb Aqamat Kare'nge, Waha’n Unke maveshi char kar aaya Kare'nge, Unke Paas koi haajat mand Apni zarurat lekar aayega wo ( az Raahe hiqarat ) kahe'nge -”kal aana ! ”*

*❉→ Pas Allah Ta’ala Un par Raato Raat Azaab Naazil karega aur Pahaad ko un par gira dega aur Doosre Logo’n ko (Jo Haraam Cheezo me khushnuma Taveele Kare'nge ) Qayamat Tak ke Liye Bandar aur khinzeer bana dega,” Ma'azallah*

*📚 Sahi Bukhari,,, 2/837_,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Behayai ka Anjaame Bad ▣*

*❉ _Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Aan’Hazrat ﷺ ne irshad farmaya:-*
*→”Allah jab kisi Bande ki halakat Ka Faisla farmate hai’n to ( Sabse Pehle) Usse Sharm v Haya Chheen lete hai’n aur jab usse Haya jati rahi to Tum ( uski Behayai ki vajah se) Use Shadeed mabgooz aur qabile nafrat pa'oge aur jab uski ye Haalat ho jaye to usse Amanat ( bhi) Chheen li jati he, aur Jab Usse Amanat Chhin jaye to Tum ( uski Baddiyanti ki vajah se) Use nira khaa’in aur dhokhebaz pa'oge,*

*❉→ Aur jab Unki Haalat Yaha’n Tak Pahu'nch jaye to Usse Rehmat bhi Chheen li jati he aur Jab Rehmat bhi Chhin jaye to Tum Use ( Be Rehmi ki Vajah se) mardood v mal’oun pa'oge aur Jab Wo is maqaam per Pahu'nch jaye to Usse islam ka patta nikaal liya jata he ( aur use islam se aar aane lagti he ), ”*

*📚_ Ibne Maaja- Safa 294_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Ikhtilaaf v Intshaar _◆*

*❉_ Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu se marvi he k Aan’Hazrat ﷺ ne farmaya :-*
*"→Beshak is Ummat ka Avval Hissa Behatreen Logo’n ka he aur Pichhla Hissa Badtareen Logo’n ka hoga, jinke Darmiyan Bahami ikhtilaf v intshaar kaar farma hoga,*

*❉→ Pas Jo Shakhs Allah Ta’ala Per aur Akhirat ke Din Per imaan rakhta ho Uski Maut is Haalat Per aani Chahiye k Wo Logo’n se Wahi Sulook karta ho jise Wo Apne Liye Pasand karta he,”*

*📚_ Ravaah ibne Hibaan, Kanzul Ummaal, 14/223_,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Teen Jurm aur Teen Sazae’n _◆*

*❉ _Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem ﷺ ka irshad he k:-*
*→”Jab Meri Ummat Duniya ko Badi Cheez Samajhne lagegi to islam ki haibat v waq’at uske quloob se nikal ja’egi aur Jab Amr bil Ma’aruf aur Nahi Anil Munkar Chhod bethegi to Vahi ki Barkaat Se Mehroom ho jayegi,*

*❉→ aur Jab Aapas me Gaali Galoch Akhtyar karegi to Allah Jal shanh ki Nigaah se gir jayegi_”*

*📚 Durre Mansoor- 2/302_Ba Rivayat Hakeem Tirmizi_,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Esi Zindgi se Maut Behtar ◆*

*❉ _ Hazrat Abu Harayra Raziyallahu Anhu Se Rivayat he K Aan’Hazrat ﷺ ne irshad farmaya:-*
*→” Jab Tumhare Haakim Nek aur Pasandida ho’n, Tumhare Maaldaar kushada Dil aur Sakhi ho’n aur Tumhare Ma'amlaat Bahami ( khair khwahana ) mashvare se Tay ho’n to Tumhare Liye Zameen ki Pusht Uske pet Se Behtar he, ( Yani Marne se Jeena Behtar he),*

*❉→ Aur jab tumhare Haakim Shareer ho’n, Tumhare Maaldaar Bakheel ho’n aur Tumhare Ma'amlaat Aurto’n ke Supurd ho’n ( k Begamaat Jo faisla kare'n Wafadaar Nokar ki Tarah Tum usko Naafiz karne lago) to Tumhare Liye za6meen ka pet Uski Pusht se Behtar he ( Yani Esi Zindgi se Mar Jana behtar he,),*

*📚_ Jaami’a Tirmizi- 2/51,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Aamiriyat aur Jabr v istabdaad ( Zulm v Zor SE Hukumat ) Ka Daur_,*

*❉_ Abu Saalba Khushni, Abu Ubaida bin Jarrah aur Ma’az bin Jabal Raziyllahu Anhum se marvi hai k Huzoor Aqdas ﷺ ne farmaya :-*
*"_  Allah Ta’ala ne is Deen ki ibtida Nabuwat v Rehmat se farmayi ,Fir ( Daure Nabuwat ke baad ) Khilafat v Rehmat Ka Daur Hoga, Uske baad kaat khane wali Baadshahat hogi, Uske baad Khaalis Aamiriyat, Jabr v istabdaad aur Ummat ke Umoomi bigaad Ka Daur Aayega,*

*❉_ Ye Log Zina Kaari , Sharaab Noshi aur Reshmi Libaas Pehanne ko Halaal Kar le'nge aur iske Bavjood Unki madad bhi hoti rahegi aur Unhe Rizq bhi Milta rahega, Yaha’n tak k wo Allah Ke Huzoor pesh hoynge (Yani Marte Dam Tak )*

*📚_ Ravaah Abu Dowd Al Tyaalsi v Al Bahyqi fi Sho’abul imaan: Tarjumaan Al Sunnah -4/75, Mishkaat-460,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Halaal Aur Haraam ki Tameez Uth jane ka Daur ◆*

*❉_ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu Huzoor ﷺ ka irshad Naqal karte hai’n k:-*
*→”Logo’n Per Ek Zamana Esa Aayega Jisme Aadmi Ko ( khud Raay aur Hirs ki bina per) ye parwah Nahi hogi k Jo kuchh wo leta he Aaya ye Halaal he ya Haraam, ”*

*📚 Sahi Bukhari,, 1/276,*
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Soodkhori ke Sailab ka Daur ◆*

*❉_ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne farmaya k:-*
*→ ”Yaqeenan Logo’n Per Esa Daur bhi Aayega Jabki koi Shakhs bhi Sood se Mehfooz Nahi rahega, Chuna'che Agar kisi ne barahe Raast Sood na bhi khaya Tab bhi Sood ka Bukhar ya Gubaar ( yani Asar) To Use har Soorat me Pahu'nch kar hi rahega _,*

*❉→ ( Go is Soorat me Barahe Raast Sood khori ka Mujrim na ho Lekin Pakiza Maal ki Barkat se Mehroom raha),”*

*📚 Ravaah Ahmad v Abu Dauwd v Nasaa'i v ibne Maaja, Mishkatul Musabeh- 245,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Duae'n Qubool na hone ka Daur ◆*

*❉_ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:-*
*→”Us zaat ki Qasam jiske Qabze me meri jaan hai, Tumhe Neki ka Hukm Karna Hoga aur Burayi se Rokna hoga Varna kuchh ba’ied Nahi k Allah Ta’ala Tum Per koi Azaab Naazil farmaye,*

*❉→Fir Tum Allah se Us Azaab Ke Talne ki Duae'n bhi karoge To Qubool na ho'ngi,”*

*📚_ Jamai’a Tirmizi,, 2/39,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Qayamat Ki Wazeh Alamaat :-*

*"❉ _ Hazrat ibne Mas'ud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Aan Hazrat ﷺ se Qayamat Ke Asaar v Alamaat ke bare me daryaft kiya to farmaya-*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke kuchh Asaar v Alamaat hai'n, Wo ye k Aulaad ( Nafarmaani ke Sabab) Gam v Gussa ka Baa'is hogi, Baarish Ke Bavjood Garmi Hogi aur Badkaro aur Shareero ka Toofan barpa Hoga,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Jhoote ko Sachcha aur Sachche Ko Jhoota Samjha Jayega,*

*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Khaa'in ko Ameen aur Ameen Ko Khaa'in batlaya jayega,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Begano se Talluq Joda jayega aur Yagano ( Apno ) se Toda jayega,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Har Qabile ki Qayadat uske Munafiqo Ke Haatho'n me hogi aur Har Bazaar Ki Qayadat uske Badkaro ke Haath me,*

*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k  Momin Apne Qabile me Bhed Bakri se Zyada Haqeer Samjha jayega,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Mehrabe'n Sajayi Jayengi aur Dil Veeran Ho'nge,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Mard Mardo'n se aur Aurte'n Aurto'n se Jinsi Lazzat Haasil Karengi,*

*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Masjido'n ke Ahaate Aalishan banaye Jayenge aur Ou'nche Ou'nche Mimbar rakhe Jayenge,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Duniya ke Veerano ko Aabaad aur Aabadiyo ko Veeran kiya jayega,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k  Gaane Bajane Ka Samaan Aam hoga aur Sharab Noshi ka Daur Daurah hoga,*

*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Tarah Tarah ki Sharabe ( Paani ki Tarah ) pi Jayengi,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k ( Ma'ashre me ) Poolice Walo, Aib Cheeno, Geebat Karne Walo aur Taana Baazo ki Bohtaat hogi,*
*"❉ _ Ey ibne Mas'ud! Beshak Qayamat Ke Asaar v Alamaat me se ye bhi hai k Na-Jaa'iz Bachcho Ki Kasrat Hogi _,*

*📚_( Kanzul Ummaal -14/224)* 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Allah Ta'ala Ki Hifazat Ke Uth Jane Ka Daur :-*

*❉_Hasan Basri Rehmatullah Aan Hazrat ﷺ Ka irshad Naqal Karte Hai'n k -*
*"_ Ye Ummat Hamesha Allah Ta'ala Ki Daste Hifazat Ke Tahat Rahegi aur Uski Panaah me Rahegi, Jab Tak k is Ummat Ke Aalim aur Qaari, Hukmrano Ki Haa'n me Haa'n nahi milayenge, aur Ummat Ke Nek Log (Az Raah Khushamad ) Badkaaro Ki Safayi Pesh Nahi Karenge, aur Jab Tak K Ummat Ke Achchhe Log (Apne Mufaad Ki Khaatir) Bure Logo'n Ko Ummeede Nahi dilayenge,*

*❉_ Lekin Jab Wo Esa Karne Lagenge To Allah Ta'ala Unke ( Saro Se ) Apna Haath utha lega, Fir Unme Ke Jabbar v Qahaar aur Sarkash Logo'n Ko Un Par Musallat Kar dega Jo Unhe Badtareen Azaab Ka Maza Chakhayenge aur Unhe Faqro Faaqa me Mubtila Kar dega, aur Unke Dilo'n Ko ( Dushmano Ke ) Roab se Bhar dega _,*

*📚_Kitabul Raqaa'iq ibne Mubarak _,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Allah Ta'ala Ki Narazgi Ka Daur :-*

*❉_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ se Rivayat karte hai'n k Aap ﷺ ne farmaya:-*
*"_ Logo'n Par Ek Esa Daur Aayega K Momin Musalmano Ki Jama'at Ke Liye Dua Karega Magar Qubool Nahi Ki Jayegi,*

*❉_ Allah Ta'ala farmayenge Tu Apni Zaat Ke Liye aur Apni Pesh Aamad Zaruriyaat Ke Liye Dua Kar, Mai'n Qubool Karta hu'n, Lekin Aam Logo'n Ke Haq me Qubool Nahi Karunga, isliye K Unhone Mujhe Naraaz Kar Liya hai _,*

*❉_ Ek Aur Rivayat me hai k Mai'n Unse Naraaz hu'n _,*

*📚_ Kitabul Raqaa'iq - 155, 384,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ __Jeb aur Pet Ka Daur :-*

*❉ _ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu Se Rivayat hai k -*
*"_ Logo'n Par Ek Daur Aayega Jisme Aadmi Ka Aham Maqsad Shikam Parwari ban Jayega aur Khwahish Parasti Uska Deen Hoga _,*

*📚 Kitabul Raqaa'iq ibne Mubarak - 317,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Zahirdari aur Chaplusi ka Daur ◆*

*❉_ Hazrat Mu’aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ Ka irshad girami nayqal karte hai’n k-*
*→”Aakhri Zamane me Esi Qome’n ho'ngi Jo Ouper se Khair Sugali ka Muzahira Karengi aur Andar Se Ek Doosre Ki Dushman ho'ngi,”*

*❉→ Arz kiya gaya, ”ya Rasulullah! Esa kyo hoga? Farmaya- ”Ek doyosre Se ( Shadeed Nafrat rakhne ke Bavjood Sirf ) Khof aur Lalach ki Vajah Se  ( Ba-zahir Dosti ka Muzahira Kare'nge ),*

*📚_ Ravaah Ahmad, Mishkaat Sharif, 455,*
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Maali Fitno ka Daur◆*

*❉_  Hazrat Ka’ab bin Ayaaz Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Rasoole Aqdas ﷺ Se Suna hai k-*
*→ Har Ummat Ke Liye Ek fitna hai Aur Meri Ummat ka khaas fitna Maal hai,”*

*📚_Jamai’a Tirmizi, 2/57, Mustadrak-4/318, Mishkat Sharif, 442,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_Aurat aur Tijarat ◆*

*❉ _Hazrat ibne Mas'ud Raziyallahu Anhu Huzoor Aqdas ﷺ Se Rivayat karte hai’n k Qayamat Se Kuchh Pehle Ye Alamate'n Zaahir Ho'ngi:-*
*"_ khaas khaas Logo'n Ko Salam kehna, Tijarat ka Yaha’n Tak fail Jana k Aurte’n Mardo'n ke Saath Tijarat me Shareek Aur Madadgaar ho'ngi,*

*❉ →Rishtedaro Se Qat’a Talluqi, Qalam ka Toofan barpa hona, Jhooti Gawahi ka Aam hona aur Sachchi Gawahi ko chhipana,”*

*📚_Ahmad, Bukhari, Haakim, Durre Mansoor,, 6/55,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Buland v Baala imaarto’n ka Daur ◆*

*❉_ Hazrat ibne Mas'ud Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Rasulullah ﷺ Se Khud suna hai k,-*
*→”Qayamat ki Nishaniyo'n me Se Ye bhi hai k Aadmi Masjid Se Guzar jayega Magar Do Raka’at Namaz Nahi padega,*

*❉→Aur Ye k Aadmi Sirf Apni Jaan Pehchan Ke  Logo'n ko Salam kahega aur Ye k Ek Mamooli Bachcha bhi Budhe aaydmi ko Mahaz Uski Tangdasti ki vayjah se Latadega,*

*❉→ Aur Ye k Jo Log Kabhi Nange Bhooke Bakriya’n Charaya karte the Wahi Ou'nchi Ou'nchi  Buildingo me dee'nge Marenge _,*

*📚_ Bayhiqi fi Shobul imaan, Durre Mansoor, 2/55,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Ummat ke Zawaal ki Alamate ◆*

*❉_ Hazrat Mu’aaz bin Anas Raziyallahu Anhu Rasool E Aqdas ﷺ Ka irshad naqal karte hai’n k,-*
*”Ye Ummat Shari’at per qaa’im rahegi jab tak Unme Teen Cheeze Zaahir na ho, Jab tak k inme ilm ( aur ulema) ko na utha liya jaye, aur inme Na-jaa’iz Aulaad ki kasrat na ho jaye, Aur Laanat Baaz Log Paida na ho jaye,*

*❉→Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya, ”Laanat Baazo Se Kya Muraad he,? Farmaya, Aakhir Zamane me Ese Log ho'nge Jo Mulaqaat ke Waqt Salam ke bajaye Laanat aur Gaali Galoch ka Tabadla karenge”* 

*📚_ Durre Mansoor -6/55,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞__ Arab Ki Tabaahi __,*

*❉_Hazrat Talha bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasulallah ﷺ ne farmaya:-*
*"_ Qurbe Qayamat Ki Ek Alaamat Arab Ki Tabaahi bhi hai _,*

*📚_(Ibne Abi Shayba v Bahyqi, Durre Mansoor -6/55)*
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Aakhri Zamane Ka Sabse Bada Fitna ◆*

*❉ _ Hazrat Abdullah bin Mas'ud Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ Ka irshad Naqal karte hai’n k-*
*→”Is Ummat me khaas No’iyat ke 4 fitne ho'nge Unme Aakhri aur Sabse Bada fitna Raag v Rang aur Gaana Bajana hoga,”*

 *📚_ ibne Abi Shayba v Abu Da'uwd, Durre Mansoor- 6/56,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Husne Qiraat ke Muqable Ka Fitna ◆*

*❉_  Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Huzoor Aqdas ﷺ ne farmaya:-*
*→” Tum Quran Ko Arab Ke Lab v Lehja aur Awaaz me padha Karo, Behuda Nagmo ki Tarah padhne aur Yahood v Nasara ki Tarze Qiraat se bacho !*

*❉ → Mere Baad Kuchh Log Aayenge Jo Qur'an ko Mosiqi aur Noha ki Tarah ga ga kar padha Kare'nge, ( Qur'an Unki Zuban hi Zuban per hoga) Halaq Se bhi Niche Nahi Utrega, Unke Dil bhi fitna me Mubtila ho'nge aur Logo’n ke Dil bhi Jinko inki Nagma Aara’i Pasand Aayegi _,*

*📚_ Ravaah Bayhiqi fi Shobul imaan, Mishkat Sharif-191,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Azaabe ilaahi ke Asbaab ◆*

*❉ _Hazrat Imraan bin Husain Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:-*
*→”is um6mat me Zameen me dha'nsne, Shakle Bigadne aur Aasman Se Patthar Barasne ka Azaab Naazil hoga_,*

*❉→ Kisi Sahabi ne arz kiya, ”Ya Rasulullah ! Esa kab hoga? Farmaya, ”Jab Gaane aur Naachne Wali Aurate’n aur Gaane Bajane ka Samaan Zaahir ho jayega aur Sharabe udayi jaye'ngi,”*

*📚_ Tirmizi Sharif- 2/44,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Fitna aur Fasaad ka Daur ◆*

*❉ _ Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne farmaya-*
*→”Tumhare Baad Esa Daur Hoga Jisme ilm  utha liya jayega aur Fitna v Fasaad aam hoga,”*

*❉→ Sahaba ne arz kiya, ”Ya Rasulullah ! Fitna v Fasaad se kya muraad hai ? Farmaya, ”Qatl,”*

*📚Tirmizi Sharif- 2/43,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞- Fitne ke Daur me ibadat ka Ajr v Sawab◆*

*❉ _ Hazrat Ma’aqil bin Yasaar Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ Ka irshad Naqal karte hai’n k,-*
*→” Fitna v Fasaad Ke Zamane me ibadat karna Esa hai Jese Meri Taraf Hijrat karke Aana, ”*

*📚_ Sahih Muslim, 2/405,Tirmizi Sharif, 2/43, Musnad Ahmad, 5/27,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Khair se Behrah Logo'n Ki Bheed ◆*

*❉ _ Hazrat Abdullah bin Amaru Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Huzoor Aqdas ﷺ ne farmaya:-*
*❉→”Qayamat qaa’im Nahi Hogi Yaha’n Tak K Allah Ta’ala Apne Maqbool Bando'n Ko Zameen Walo Se Chheen Lega, Fir Zameen Per Khair Se Behrah Log reh jayenge Jo Na Kisi Neki Ko Neki Samjhenge Na Kisi  Buraryi ko Burayi,”*
 
*📚 Ahmad v Haakim v Durre Mansoor -2/55,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Taraqqi Pasandana Thaat- Baat ◆*

*❉_ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ Ka irshad Naqal karte hai’n k,*
*→ ”is Ummat ke Aakhir me Ese Log ho'nge Jo Thaat se Zeen Posho Per Beth Kar Masjido'n Ke Darwazo'n Tak Pahu'ncha Karenge,*

*❉→ Unki Begamaat Libaas Pehanne ke Bavjood Barhana ho'ngi, Unke Saro Per Laagar Bakhti Ou'nt ke Kohaan ki Tarah Baal ho'nge,*

*❉→ Un Per Laanat Karo ! kyunki Wo Mal’oun hai’n, Agar Tumhare Baad Koi aur Ummat Hoti To Tum Unki Gulami karte jis Tarah Pehli Ummato KI Aurte’n Tumhari Londiya’n bani,*

*📚_ Haakim v Durre Mansoor- 6/55,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞- Khuda ki Laanat v Gazab me Subeh- Shaam ◆*

*❉_ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Aan Hazrat ﷺ Se Suna hai k,-*
*→”Agar Tumhari Zindgi Taveel hui to Ba’ied  Nahi k Tum Ese Logo'n Ko Dekho Jinki Subeh v Shaam Allah ke Gazab v Laanat me Basar hogi,*
*→Unke Haath me Bel KI Dum Jese Kode ho'nge”*

*📚 Ahmad v Haakim, Durre Mansoor-6/55,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞- Halaat me Din ba Din Shiddat ◆*

*❉_ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Rasulullah ﷺ Se Suna hai k,-*
*→”Halaat me Din Ba Din Shiddat Paida Hoti jayegi, Maal me Barabar izafa hota jayega aur Qayamat Sirf Badtareen Logo'n Per Qaa’im Hogi ( Nek Log Ek Ke Baad Ek utha Liye jayenge ),*

*📚_Ravaah Tibrani v Durre Mansoor- 6/55,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ - Kya Esa bhi Hoga?*

*❉ _Musa bin Abi Iysa Madni Rehmatullah Se Rivayat hai k Aan Hazrat ﷺ ne farmaya-*
*→” Us Waqt Tumhara Kya Haal hoga Jab Tumhare  Nojawaan Badkaar ho jayenge aur Tumhari Ladkiya’n aur Aurte’n Tamaam Hudood falaang jayengi_,*

*❉_ Sahaba.ne Arz kiya, ”Ya Rasulullah ! Kya Esa bhi hoga,? Farmaya- “Haa’n ! aur isse bhi badhkar, Us waqt Tumhara Kya Haal hoga Jab Na Tum Bhalayi ka Hukm karoge Na Buraryi Se Mana karoge?,”*

*❉_ Sahaba ne Arz kiya- ”Ya Rasulullah ! Kya Esa bhi hoga? Farmaya-” Haa’n ! aur isse bhi badtar, Us Waqt Tum Per kya guzregi Jab Tum Buraryi ko Bhalayi aur Bhalayi ko Burayi Samajhne lagoge,”*

*📚 Kitabul Raqa’iq ibne Mubarak, 484,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Aurto’n ki Farmabardari ◆*

*❉_ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Aan Hazrat ﷺ ne irshad farmaya:-*
*→”Jab Maale Ganimat ko daulat, Amanat ko Ganimat aur Zakaat ko Tawaan Samjha jaayega, Duniya Kamane ke Liye ilm Haasil kiya jaye, Mard Apni Bivi ki farmabardari kare aur Apni Maa’n ki Nafarmani, Apne Dost ko Qareeb kare aur Apne Baap ko Door Aur Masjido'n me Awaaze Buland hone Lage, Qabile ka Badkaar Unka Sardaar Ban Bethe aur Zaleel Aadmi Qaum ka qaa’id ( Chaudhri) Ban jaye,*

*❉→ "Aadmi ki izzat Mahaz Uske zulm se bachne ke Liye ki jaye, Gaane Wali Aurte’n aur Gaane Bajane Ka Samaan Aam ho jaye, Sharabe'n pi jane Lage aur Pichhle Log Pehlo'n Ko Laan Taan Se Yaad kare’n,*

*❉→"Us Waqt Surkh Aa'ndhi, Zalzala, Zameen me Dha'ns Jane, Shakle Bigad jane, Aasman Se Patthar Barasne aur Tarah Tarah ke Lagataar Azaabo ka intezar karo jis Tarah kisi Bosida Haar ka Dhaga Toot jane se Motiyo'n ka Taata Bandh jata hai,*

*📚_ Jami'a Tirmizi- 2/44,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Zakaat Ko Tax Qaraar Diya Jayega ◆*

*❉_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaya,-*
*→”Jab Meri Ummat Pandrah (15) Kaam Karne lagegi Us Waqt Us Per Masa’ib ka Pahaad Toot Padega,”*

*"❉_ Arz kiya gaya- Ya Rasulullah ! Wo 15 Kaam kya hai’n? Farmaya- Jab Ganimat Daulat Ban jaye, Amanat ko Ganimat ki Tarah Loota jane lage, Zakaat ko Tawaan aur Tax Samjha jaye, Mard Apni Bivi ka kaha Maane aur Maa’n se Badsuluki kare, Dost se Wafadaari aur Baap Se Bewafa'i barte, Masjido'n me Awaaze Buland hone lage, Sabse Kameena Aadmi Qaum ka Numa’inda kehlaye, Aadmi ki izzat Uske Shar se Bachne ke Liye ki jaye, Sharab Noshi Aam ho jaye, Reshmi Libaas Pehna jaye, Gaane Wali Aurte’n aur Gaane Bajane ka Samaan rakha jaye aur Ummat ka Pichhla hissa Pehlo ko Bura Bhala kehne Lage,*

*"❉→ Us Waqt Surkh Aa'ndhi, Zameen ke dha'nsne ya Shaklo ke Bigadne ka intezar karna chahiye,”*

*📚_Tirmizi Sharif, 2/44,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Masjido'n ki Behurmati ◆*

*❉_ Hazrat Hasan Rehmatullah Rasulullah ﷺ Ka irshad Naqal karte hai’n k,*
*→”Logo'n Per Ek Zamana Aayega Jabki Log Masjido'n me Beth Kar Duniya Ki Baate kiya Kare'nge,*
*→Tum Unke Paas Na Bethna, Allah Ta’ala ko Ese Logo'n ki Koi Zarurat Nahi,*

*📚 Ravaah Bayhiqi fi Shobul imaan, Mishkaat Sharif,, 71,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Jaahil Mufti ▩*

*"❉_ Hazrat Abdullah bin Amru Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne farmaya,*
*→ “Allah Ta’ala ilm ko is Tarah Nahi Uthayega k Logo'n Ke Seene Se Nikaal Le, Balki Ulema ko Ek Ek kar ke uthata Rahega Yaha’n Tak k Jab koi Aalim Nahi Rahega To Log jaahilo Ko Peshva bana le'nge, Unse Masa'il Puchhenge,*

*❉→ Wo Jaane Boojhe Bager Fatwa de'nge, Wo Khud bhi Gumrah ho'nge aur Doosro ko bhi Gumrah Kare'nge,”*

*📚 Mishkaat kitabul Uloom, 33,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Ulma aur Hukkam ▩*

*❉_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne farmaya-*
*→”Meri Ummat me Ek Jama’at hogi Jo Deen  ka Qanoon khoob Haasil karegi aur Qur'an bhi padhegi, fir Wo kahe'nge Aa'o Hum in Haakimo ke pass ja kar Unki Duniya me Hissa lagaye'n aur Apna Deen Unse Alag Rakhe'n !*

*❉→ Lekin Esa Nahi ho Sakta Jese k kaa'nte daar Darakht se Sivaye kaa'nto ke aur Kuchh Haasil Nahi ho sakta isi Tarah in Hukkam ke paas ja kar bhi Gunaho'n ke Siva Kuchh Nahi milega _,*

*📚 Ibne Maaja,, 22,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Deen ki Baato ko Ulat Diya Jayega ▩*

*❉_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai’n k Maine Rasulullah ﷺ Se Suna hai k-*
*→ ”Deen ki Sabse Pehli Cheez Jo Bartan ki Tarah ulti jayegi wo sharaab hai,*

*❉→ Arz kiya gaya,-Ya Rasulallah ! Ye kese hoga Jabki Allah Ta'ala ne iski hurmat ko Saaf Saaf Bayan farma diya hai ? Farmaya– ”Ko'i aur Naam Rakh Kar Use Halaal kar le'nge,”*

 *📚 Mishkaat Sharif, 460,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Tabahi ki Asal Buniyad ▩*

*❉ _ Hazrat Amru bin Auf Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ Ka irshad Naqal karte hai’n k,-*
*→ ”Khuda ki Qasam Mujhe Tumhare Mutalliq Faqr v Faaqa ka khatra nahi Balki Dar is Baat ka hai k Duniya Tum per is Tarah faila di jayegi Jis Tarah Tumse Pehli Ummato Per failayi gayi,*

*❉→ Fir Tum Ek Doosre Per is Per Hirs karne lago Jis Tarah Pehli Ummato ne Hirs ki, fir Wo Tumko bhi isi Tarah Halaak kar daale Jis Tarah Usne Pehlo ko Halaak kar diya,”*

*📚_ Mishkaat Sharif, 440,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Yahood v Nasara ki Naqqali ▩*

*❉_ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Huzoor ﷺ  ne farmaya,-*
*→”Tum bhi Theek Pehli Ummato ke Naqsh E Qadam Per Chal kar rahoge Hattaki Agar wo Goh ke Suraakh me Ghuse  to Tum bhi usi me Ghus kar rahoge,*
*→Arz kiya gaya,-”Ya Rasulullah ! Pehli Ummato se Muraad Yahood v Nasara hai’n?Farmaya,-”aur kon?”*
*📚_Muttafiq Alaihi, Mishkaat Sharif, 458,*

*❉_ Ek aur Rivayat me hai k Agar unme kisi ne Apni Maa’n se Elaaniya Badkari ki hogi to Meri Ummat me bhi is Qism ke logo ho'nge, ( Mazallah)*
*📚 Tirmizi,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Andha dhund Qatl ▩*

*❉ _ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya,-*
*→ ”Us Zaat ki Qasam Jiske Qabza E Qudrat me Meri Jaan hai! Duniya khatm Nahi Hogi Yaha’n Tak K Logo'n Per Esa Daur Na aa jaye jisme Na Qaatil Ko Ye Bahas hogi k Usne Kyu Qatl kiya, Na Maqtool ko Ye khabar Hogi k Wo kis Jurm me Qatl kiya gaya,”*

*❉→ Arz kiya gaya,-Esa Kyu hoga ? Farmaya– ”Fasaad Aam hoga, Qaatil V Maqtool Dono Jahannam me jayenge, ”*

*📚 Ravaah Muslim- 2/394, Mishkaat Sharif- 462,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Bad se Badtar Daur ▩*

*❉ _ Zuber bin Adi Rehmatullah farmate hai’n k Humne Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se unki khidmat me un Masa’ib ki Shikayat ki Jo hijjaj ki Taraf se Pesh aa rahe the, Unhone Sunkar farmaya,-*
*→”Sabr Karo Tum Per Jo Daur bhi Aayega Uske Baad ka Daur Usse bhi Badtar hoga, Yaha'n Tak k Tum Apne Rab Se Ja milo, Maine Tumhare Nabi ﷺ Se Yahi Suna hai,”*

*📚Ravaah Bukhari -2/1047, Mishkaat Sharif- 463,* 
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Tabaah Kun Gunaho'n Per Jurra'at ▩*

*❉_ Hazrat Anas aur Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhum farmaya karte the k,-*
*→”Tum Log Baaz A'amaal karte ho Jo Tumhari Nazar me To Baal se bhi Bareek ( Yani Mamuli) hote hai’n Magar Hum Unhe Rasulullah ﷺ Ke Zamane me Tabaah kun Shumar kiya karte the,”*

 *📚_ Ravaah Bukhari, Mishkaat Sharif-458,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _ Lagataar Fitne ▩*

*❉ _ Hazrat Abdullah bin Amru Raziyallahu Anhu farmate he’n k Hum Ek Safar me Aan Hazrat ﷺ ke Saath the, Humne Ek Manzil Per Padaav kiya, Humme se Baaz Kheme laga rahe the, Baaz Teerandazi ki mashq kar rahe the, Achanak Aap ﷺ ke Mo'zzin ne Elaan kiya k Namaz Taiyar hai, Mai'n Huzoor ﷺ ki khidmat me Haazir hua to Aap khutbe me irshad farma rahe the-*

*❉ →Logo'n Mujhse Pehle Jo Nabi bhi guzra hai Uska Farz tha k Apni Ummat ko Wo Cheeze  batlaye jise Wo Unke liye Behtar Samajhta hai aur un Cheezo se Daraye jinko unke liye Bura Samajhta hai, Suno ! is Ummat ki Aafiyat Pehle Hisse me hai aur Ummat ke Pichhle Hisse ko Ese Masa’ib aur fitno se do char hona padega Jo ek doosre se Bad Chad kar ho'nge, Ek fitna aayega pas Momin ye samjhega k ye muyjhe Halaak kar dega, fir wo jata rahega aur Doosra Teesra fitna aata rahega aur Momin ko har fitne se yahi khatra hoga k ye use Tabaah v Barbaad kar dega,*

*❉→ Pas jo Shakhs ye chahta ho k Use Dozakh  se Nijaat mile aur wo Jannat me Dakhil ho., Uski maut is Haalat me aani chahiye k Wo Allah per aur Akhirat ke Din per imaan rakhta ho aur Logo'n se Wahi Ma'amla barte Jo Apne Liye Pasand karta hai aur jis shakhs ne Kisi imaam ki bait kar li aur use Ahad v Paimaan de diya fir use Jaha'n Tak Mumkin ho Uski Farmabardari karna chahiye,”*

*📚 Sahi Muslim- 2/126, Nasaa'i -2/184, ibne Maaja -284, Musnad Ahmad- 2/191,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Khuda ki Zameen Tang ho Jayegi ▩*

*❉_ Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne farmaya-*
*→”Aakhri Zamane me Meri Ummat Per Unke Haakimo ki Jaanib se Ese Masa’ib Toot Pade'nge k un Per khuda ki Zameen Tang ho  jayegi, Us Waqt Allah Ta’ala Meri Aulaad Se Ek Shakhs ( Meh'ndi Alaihissalam) ko khada karenge Jo Zameen ko Adl v insaaf se usi Tarah Bhar de'nge Jis Tarah Wo Pehle Zulm v Sitam  Se Bhari hui hogi, Unse Zameen wale bhi Raazi ho'nge aur Aasman Wale bhi, Unke Zamane me Zameen Apni Tamaam Paudawaar ugal degi aur Aasman se khoob Barish hogi, wo Unme 7 ya 8 ya 9 saal Rahe'nge _,*

*📚 Durre Mansoor- 2/46,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ ⇨ Fitna zada Quloob ▩*

*❉_ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Rasulullah ﷺ Se Khud suna hai,Aap farmate the k,-*
*→ ”Fitne Dilo me Usi Tarah Ek Ke Baad digar Dar Aayenge Jis Tarah chayai me Ek Ke Baad digar Ek Tinka Dar aata hai Chuna'che jis Dil ne in Fitno ko Qubool kar Liya aur Wo usme poori Tarah Rach Bas gaye us per ( Har fitne ke Evaz ) Ek syaah nuqta lagta jaaega, aur Jis Dil ne Unko Qubool na kiya Us Par (Har Fitne Ko Radd Kar dene Ke Evaz) Ek Safed Nuqta Lagta Jayega, Yaha'n tak k Dilo ki Do Qisme ho Jayengi,*

*"❉_ Ek Sange Mar Mar Jesa Safed k Use Rehti Duniya Tak Koi firna Nuqsan Nahi dega, Aur Doosra khaktari Rang ka Siyah Ulte koze ( ghade) ki Tarah (k khair ki koi Baat Usme Nahi Tikegi) Ye Bajuz Un khwahishat ke Jo Usme Rach Bas gayi hai’n Na kisi Neki ko Neki Samjhega Na Kisi Buraryi ko Burayi (Uske Nazdeek Neki aur Badi ka maiyar Bas Apni Khwahish hogi ),”*

*📚 Sahi Muslim-1/82,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Dilo'n se Amanat Nikal Jayegi ▩*

*❉_ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne Do Baate batlayi'n, Ek to Maine Aa'nkho se Dekh Li aur Doosri ka muntazir hu'n, Pehli baat Aapne ye batlayi k-*
*"_ Amanat ( Noore imaan) Logo'n ke Dilo'n ki gehraiyo'n me utra, iske baad Unhone Qur'an Seekha, Fir Sunnat ka ilm Haasil kiya (iska Mushahida to Maine khud kar Liya hai),*

*❉→ Doosri Baat Aap ﷺ  ne Amanat ke uth Jane ke bare me farmayi, Farmaya k Ek Aadmi Ek Dafa Soyega to Amanat ka kuchh Hissa Uske Dil Se Nikaal Liya jayega, Chuna'che Til ke Nishan ki Tarah Uska Nishan Reh jayega, fir Dobara Soyega to Amanat ka Baqi Hissa bhi Qabz kar Liya jayega, Uska Nishan Aabla ki Tarah Reh jayega, Jese Tum Apne Paa'nv Per Aag ka Angara khee'ncho To Aabla Ubhra hua Nazar aayega, Magar Uske Andar Kuchh Nahi hota,*

*❉→Aur Din Bhar Log kharido farokht Kare'nge Lekin Ek bhi Aadmi Mushkil se Esa Nahi mil Sakega Jo Amanat Ada karta ho, Chuna'che ( Dayanat ka is Qadar Qahat hoga k) ye kaha jayega k fala'n Qabile me Ek Aadmi Amanat Daar hai aur ( bad Akhlaqi ka ye haal hoga k ) Ek Aadmi ke Mutalliq ye kaha jayega, wah wah ! Kitna Aqalmand Aadmi hai, kitna Zinda Dil hai, kitna Bahadur hai ( wo Esa hai, Wesa hai) Hala'nki Us Banda E khuda Ke Dil me Raa'i ke Daane ke Barabar bhi to imaan Nahi hoga,”*

*📚 Mishkaat Sharif- 461, Bukhari Sharif- 2/1050,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Insani Libaas me Shaitaan ▩*

*❉_ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Log Rasulullah ﷺ Se khair ki Baate Puchha karte the aur Mai'n Aap ﷺ se Shar ke bare me Tehqeeq kiya karta tha k kahi’n Esa Na ho k wo Mujhe La-ilmi ki vajah se Pahu'nch jaye, Farmate hai’n, Maine (Ek dafa) arz kiya- “Ya Rasulallah ! Hum Jahiliyat aur Shar me fa'nse hue the, Haq Ta’ala Shanhu ne ( Aapki Badolat) Hamare Pass Ye khair bhej di, ( Yani islam), To kya is khair ke Baad bhi koi shar hoga?”*

*❉→Farmaya-  “Haa’n, Maine kaha- “aur Us Shar ke Baad koi khair hogi ?Farmaya- “Haa’n, Magar Usme Kadurat hogi,”*
*→Maine kaha- “Kadurat kya hogi ? Farmaya- “kuchh Log ho'nge Jo Meri Sunnat ke bajaye Doosri Cheezo ki Talqeen Karenge, Unme Nek v Bad ki Aamijish hogi,”*

*❉→Maine kaha- “Achchha Us khair ke Baad bhi koi Shar hoga ?Farmaya- “Haa’n, Jahannam ke Darwazo'n Per Bulane wale ho'nge, Jo unki Dawat Per Labbek kahega, Use jahannam me Jho'nk de'nge,”*
*→Maine kaha-”Ya Rasulallah ! Zara Unka Haal to bayan farmaye'n” Farmaya- “Wo Hamari hi Qaum se ho'nge aur Hamari hi Zuban bole'nge” ( Yani islam ke mudda'i ho'nge aur islami istlahaat ko matlab barar'i ke liye istemal Karenge ),*

*❉→Maine Arz kiya- ”Agar Ye Bura Waqt mujh per aa jaye to Aap mujhe kya hidayat farmate hai’n ? Farmaya- “Musalmano ki jama’at aur unke imaam se Chimte Rehna,”*
*→Maine kaha- “Agar Us Waqt Na Musalman ki jama’at ho Na imaam to fir ? Farmaya- ”Fir in Tamaam firqo’n se Alag raho chahe Tumhe Kisi Darakht ki jad me jagah banana pade, Hattaki isi Haalat me Tumhari Maut aa jaye,”*

*📚 Mishkaat Sharif- 461, Bukhari Sharif- 2/1049,*

*❉⇨ Aur ek Rivayat me hai k Mere Baad Kuchh Muqtada aur Hukkam ho'nge Jo Na Meri Seerat Per Chalenge Na Meri Sunnat ko apnaye'nge, Unme Kuchh Ese Log khade ho'nge Jinke Quloob insani Jism me Shayateen ke Quloob ho'nge,*
*→ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu Farmate hai’n, Maine arz kiya-“Ya Rasulallah! Agar ye Bura Waqt Mujh Per aa jaye to Mujhe kya karna chahiye? Farmaya- (Jaa’iz umoor me) Ameer ki Sama’a v Taa’at baja Lana Chahe WO Teri kamar Per Kode Maare aur Tera Maal Loot le Tab bhi Sama’a v Taa’at baja Lana,”*

*📚 Mishkatul Musabeh- 462,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Bad Amali Ke Nata’ij ▩*

*❉_ Hazrat Ziyaad bin Lubaid Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne Kisi Holnaak Cheez ka Tazkira farmaya aur farmaya k Ye Us Waqt Hoga Jab ilm jata Rahega, Maine Arz kiya- Ya Rasulallah ! aur ilm kese Jata Rahega,? Jabki Hum Khud Qur'an Padhte hai’n aur Apne Bachcho ko Padhate hai’n, Hamari Aulaad Apni Aulaad ko Padhayegi aur Ta Qayamat Ye Silsila Jaari Rahega,”*

*❉→Farmaya-”Ziyaad !Teri Maa’n Tujhe Gum Paye ( Yani  Tu Mar jaye) Mai'n To Tujhe Madina ke Faqihtar Logo'n me Se Samajhta tha, (Magar Ta’ajjub hai k Tum To itni si Baat ko bhi Nahi Samajh paye, Aakhir Tumhe ilm ke uth Jaane Per Ta’ajjub kyu Hone Laga ?),*
*→ Kya ye Yahoodo Nasara Toraat v injeel Nahi Padhte? Lekin Unki kisi Baat Per bhi To Amal Nahi karte, ( is Bad Amali ke Natije me Ye Ummat bhi wahi ki Barkaat kho bethegi, Pas Be ma'ani Qatl v Qitaal Reh jayega)_”*

*📚 Mishkaatul Masabih- 38,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ikhtilaf ki Nahusat ▩*

*❉_ Imaam Bayhiqi Reh. ne Ba Rivayat ibne ishaq Naqal Kiya hai k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne (Saqifa bani Sa'ada ke din) ye bhi farmaya tha k:-*

*❉ →Ye Baat to kisi Tarah Durust Nahi k Musalmano ke Do Ameer ho’n kyu'nki Jab Kabhi Esa Hoga Unke Ahkaam v Ma'amlaat me ikhtilaf Runuma ho jayega, Unki Jama'at Tafriqa (Foot) Ka Shikar Ho Jayegi aur Unke Darmiyan Jhagde Paida Ho Jayenge, Us Waqt Sunnat Tark Kar di jayegi aur Bid’at Zaahir Hogi jayegi aur bada fitna aur Azeem Fitna Barpa Hoga aur is Haalat me Kisi Ke Liye bhi Khair v Salaah Nahi Hogi_”*

*📚 Hayatussahaba- 2/1, Bayhqi -8/145,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Na-Ahal Haakim ▩*

*❉_  Rafe’a Taa'i kehte hai’n k ek Safar me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu  ka rafeeq tha, Wapsi per Maine kaha,” Ey Abu Bakar Raziyallahu Anhu mujhe koi Nasihat kijiye,*

*❉→ Farmaya-”Farz Namaze Theek Waqt Per padha Karo, Apne Maal ki Zakaat khush Dili se diya Karo, Ramzan ke Roze rakho .aur Betullah ka Hajj kiya karo, Dekho islam me Hijrat Badi Achchhi Baat hai,... Aur Haakim Na Banna !*

*❉ _ Fir farmaya–”Ye imaarat Jo Aaj Tumhe Thandi Nazar aati hai, Bahut jald ye fail jayegi aur Zyada ho jayegi yaha’n Tak k un Logo'n ke Haath lagegi Jo iske Ahal Nahi ho'nge, Hala'nki Jo shakhs Haakim Ban jata hai Uska Hisaab Taveeltar aur Azaab Sakht tar hoga,*

*❉→ Aur Jo sakhsh Ameer Na Bane Uska Hisaab Nisbatan Asaan aur Azaab halka hoga, iski vajah ye hai k Hukkam ko... Zulm ka Mauka Nisbatan Zyada milta hai,*

*❉→ Ahle imaan Allah ke Hamsaye aur uske Bande hai’n, Tumne se kisi ke Hamsaye ki Bakri ya Ou'nt ko Aafat Pahu'nche To Saari Raat Pareshani me guzaarta hai aur kehta hai k Mere Hamsaye ki Bakri, Mere Hamsaye ka Ou'nt, Pas Yaqeenan Allah Ta’ala is Baat ka Zyada Haqdaar hai k Wo Apne Hamsaye ki Takleef Per Gazab Naak ho,”*

*📚 ( Mafhoom -Kanzul Ummaal- 5/752,)*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Dajjali Firqa ▩*

*❉_ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne farmaya-*
*→”Aakhri Zamane me Kuchh Log ho'nge Jo kaha Karenge, ”Taqdeer Koi Cheez Nahi,”*

*❉→ Ye Log Agar Bimaar Pade'nge to inki iyadat Na Karo Mar jaye’n to inke Janaze me shirkat Na Karo Ky'unki Ye Dajjal ka Tola hai, Allah Ta’ala Ke Zimme hai k inko Dajjal Se mila de,”*

*📚 Musnad, Abu Daoud, 2/58,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Zaruriyaate Deen Ka inkaar ▩*

*❉_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya-*
*→”Baad ke Zamane me kuchh Log Aayenge Jo kaane Dajjaal ko Afsana batlayenge, Qurbe Qayamat me Suraj ke Magrib ki Jaanib se Tulu hone ka inkaar karenge, Azaabe Qabr ki Takzeeb karenge, Shafa’at ka inkaar karenge, Hauze kausar ka inkaar karenge aur Dozakh me jal bhun kar Usse Nijaat pane Walo ka inkaar karenge,”*

*📚 _ Kanzul Ummal- 1/387,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Qur'an se Shubhaat ▩*

*❉_ Hazrat Amirul Momineen Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n,-*
*→”Anqareeb kuchh Log Paida ho'nge Jo Qur'an ( ki Galat Ta’abeer ) se ( Deen me) Shub'haat Paida kar ke Tumse Jhagda Karenge, Unhe Sunan se Pakdo, Kyunki Sunnato Se Waqif Hazraat Kitabullah ( Ke Sahi Mafhoom ) Ko khoob Jaante hai’n,”*

*📚 Sunan Daarami, 1/47,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Qurani Dawat ka Daava ▩*

*❉_ Hazrat Abdullah bin Mas'ud Raziyallahu Anhu farmate hai’n, ilm ke uth jaane se pehle pehle ilm hasil kar lo, ilm ka uth jaana ye he k ahle ilm Rukhsat ho jaayenge,*

*❉→ Khoob mazbooti se ilm Haasil karo, Tumhe kya khabar k kab iski zarurat pesh aa jaye, Ya Doosro ko iske ilm ki Zarurat Pesh aaye aur ilm se faayda uthana pade,*

*❉→ Anqareeb Tum Ese Logo'n ko paa'oge jinka Daava ye hoga k Wo Tumhe Qur'ani Dawat dete hai’n Hala'nki kitaabullah ko Unhone pashe pusht daal diya hoga, isliye ilm per Mazbooti se qaa’im raho, Nayi Bekaar, Besood ki moshgani aur laayani Baato se bacho, ( Salfe Saleheen ke)  Purane Raaste per qaa’im raho,”*

*📚 Sunan Daarami, 1/50,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨Sunnat Ke Mafhoom me Mugaalta Andazi ▩*

*"❉_ Hazrat Abdullah bin Mas'ud Raziyallahu Anhu farmaya karte they :- Us Waqt Tumhara Kya Haal hoga Jabki Fitna Tumme Sarayat Kar Jayega, Adhed Umr Ke Log isme Budhe Ho Jayenge aur Bachche Jawan ho Jayenge aur Log is Fitne Ko Sunnat Qaraar de le'nge K Agar ise Chhod diya Jaye to Kaha jayega k - "Sunnat Chhod di gayi !"*

*"❉_ Arz kiya gaya:- Esa Kab hoga ? Farmaya - Jab Tumhare Ulma Jaate Rahenge aur ( Padhe Likhe ) Jaahilo ki Kasrat hogi, Tumme Harf Khwa'n Zyada aur Faqeeh Kam ho'nge, Ameer Zyada aur Dayanatdaar kam ho'nge, Aakhirat Wale A'amaal Se Duniya Sameti Jayegi aur Bedeeni Ke Liye islami Qanoon Padha Jayega _,*

*📚 Ravaah Daarmi- 1/58,*

*❉_ Mota imaan Maalik Ki Ek Rivayat me hai k:- Hazrat Abdullah bin Mas'ud Raziyallahu Anhu ne Ek Shakhs Ko Nasihat karte hue farmaya, ”Dekho ! Tum Ese Zamane me Ho Jisme faqeeh Zyada hai'n aur Qaari kam, is Zamane me Qur'an ke Haroof se Zyada uski Hudood ki Nigahdaasht ki jati hai, Maa'ngne wale Kam aur dene wale Zyada hai’n, Khutba Mukhtsar aur Namaz Lambi hoti hai, is Zamane me Log A'amaal ko khwahishat per Muqaddam rakhte hai’n,*

*❉"_ Aur Ek Zamana Esa Aayega Jisme Faqeeh kam ho'nge aur Qaari Zyada, Qur'an ke Haroof ki khoob hifazat ki jaayegi Magar Uski Hudood ko Pamaal kiya jaayega, Maa'ngne Walo ki Bheed hogi, Lekin dene Wale kam ho'nge, Taqreere Badi Lambi Chodi Karenge Lekin Namaz Mukhtsar si Padhe'nge aur Log A'amaal Se Pehle Apni khwahishaat ko aage rakhenge,”*

*📚 Mota imaan Maalik -160,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Deeni Masa'il me Galat Qayaas Aara'i ▩*

*❉ _ Hazrat Abdullah bin Mas'ud Raziyallahu Anhu farmate hai’n,” Tum Per Har Aa'inda Saal Pehle Se Bura aayega, Meri Muraad ye Nahi hai k Pehla Saal Doosre Saal Se Galle ki farawani me Achchha hoga ya Ek Ameer Doosre Ameer se Behtar hoga, Balki Meri Muraad ye hai k Tamaam Ulma, Saleheen aur Faqeeh Ek Ek kar ke uthte jayenge aur Tum Unka Badal Nahi pa'oge,*

*❉→Aur (Qahatul Rijaal ke Zamane me) Baaz Ese Log Paida ho'nge Jo Deeni Masa'il ko Mahaz Apni Zaati Qayaas Aara'i Se Hal Karenge _,”*

*📚 Daarami,, 1/58,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Inkaare Sunnat ▩*

*❉_  Hazrat Miqdaam bin Madikarb Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya:-*
*→”Agaah Raho ! Mujhe Qur'an bhi diya gaya aur Uske Saath isi Tarah ki ( Wajibul ita'at wahi ) aur bhi ( di gayi hai’n, jise Sunnat kaha jata hai),*

*❉→Agaah Raho ! Koi Pet bhara apne Takiye Per Tek lagaye hue ( Jo Takabbur ki Alamaat hai) Mutakabbirana ( Andaz me ) kahega: Logo'n Sirf is Qur'an hi ( Per Amal ) ko Laazim Samjho, Jo Cheez Tumhe isme Halaal mile Bas usi ko Halaal Samjho aur Jo isme Haraam mile usi ko Haraam Samjho, ( Qur'an fehmi ke liye Sunnat se Madad na lo ),*

*❉→ Hala'nki ( Moti Baat hai k ) Rasulullah ﷺ ( Halaal aur Haraam, Jaa’iz aur Na-jaa’iz ka Jo faisla farmate hai’n wo Ba hukme ilaahi hota hai, isliye Aap ﷺ ne) Jis Cheez ko Haraam Thehraya Wo bhi usi Tarah ( Wajibul Ahatraaz ) hai jis Tarah Allah Ta’ala ki Haraam Thehrayi hui Cheez, ( Magar Takabbur aur Gabawat ki Vajah se itni Moti Baat ko Nahi Samjhega )_,”*

*📚 Ravaah Abu Da'uwd v Daarmi, Ibne Maaja, Mishkatul Musabeh- 29,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞_ Inkaare Sunnat ▩*

*❉_  Hazrat Miqdaam bin Madikarb Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya:-*
*→”Agaah Raho ! Mujhe Qur'an bhi diya gaya aur Uske Saath isi Tarah ki ( Wajibul ita'at wahi ) aur bhi ( di gayi hai’n, jise Sunnat kaha jata hai),*

*❉→Agaah Raho ! Koi Pet bhara apne Takiye Per Tek lagaye hue ( Jo Takabbur ki Alamaat hai) Mutakabbirana ( Andaz me ) kahega: Logo'n Sirf is Qur'an hi ( Per Amal ) ko Laazim Samjho, Jo Cheez Tumhe isme Halaal mile Bas usi ko Halaal Samjho aur Jo isme Haraam mile usi ko Haraam Samjho, ( Qur'an fehmi ke liye Sunnat se Madad na lo ),*

*❉→ Hala'nki ( Moti Baat hai k ) Rasulullah ﷺ ( Halaal aur Haraam, Jaa’iz aur Na-jaa’iz ka Jo faisla farmate hai’n wo Ba hukme ilaahi hota hai, isliye Aap ﷺ ne) Jis Cheez ko Haraam Thehraya Wo bhi usi Tarah ( Wajibul Ahatraaz ) hai jis Tarah Allah Ta’ala ki Haraam Thehrayi hui Cheez, ( Magar Takabbur aur Gabawat ki Vajah se itni Moti Baat ko Nahi Samjhega )_,”*

*📚 Ravaah Abu Da'uwd v Daarmi, Ibne Maaja, Mishkatul Musabeh- 29,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞⇨ Deen ke maamle me Rishvat ▩*

*❉_ Hazrat Mu’aaz Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ Ka irshad Naqal karte hai’n k,-*
*→”Hadiya usi Waqt Tak Qubool Kar Sakte ho jab Tak k Wo Hadiya rahe, Lekin Jab Wo Deen ke maamle me Rishwat Ban jaye to use Qubool na Karo, Magar ( Esa Nazar aata hai k ) Tum (Ummat ke Aam Log ) Use Chhodoge Nahi kyunki Faqr aur Zarurat Tumhe Majboor karegi,*

*❉→Agaah Raho! K islaam ki Chakki Baharhal Gardish me rahegi, isliye kitabullah jidhar chale uske Saath Chalo, ( Use Apni khwahishaat ke Mutabiq na Dhaalo),*
*→Agaah Raho! K Anqareeb kitaab aur Haakim juda juda ho jaayenge, pas Tum kitaabullah ko na chhodna,*

*❉→Agaah Raho! K Anqareeb Tum Per Ese Haakim Musallat ho'nge Jo apne Liye wo Tajveez karenge Jo Doosro ke Liye Tajveez nahi karenge, Tum Agar Unki Nafarmani karoge to Tumhe Qatl karenge aur Agar Farmabardari  karoge to ( Be Deeni ke sabab ) Tumhe Gumrah karenge,”*
*→Sahaba ne arz kiya,- ”Ya Rasulullah! ( Esi Soorat me ) Hume kya Tarze Amal Akhtyar karna Chahiye ? Farmaya- ”Wahi Jo Hazrat Eisa Alaihissalam ke Ashaab ne kiya k Unhe Aaro’n se cheera gaya, Sooli per latkaya gaya ( Magar wo Deen per Qaa’im rahe ) aur ita'ate ilaahi me  jaan de dena Ma’asiyat ki zindgi se ( Ba Darjaha) behtar hai,”*

*📚 Ravaah Tibrani kama fi Majmauz Zawa’id 5/227, Kama Fil Kanz 1/216,*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Namaz Padhne Par Aar dilane Ka Daur :-*

*❉_ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu Se Rivayat hai k Ek Zamana Aayega K Aadmi Apne Bhai aur Baap Se Qat'a Talluq karega aur Un Logo'n me Se Baaz Ke Dilo'n me Fitna Qayamat Tak Ke Liye Ghar Kar Jayega Yaha'n Tak K Aadmi Ko Namaz Padhne Par Esi Aar dilayi Jayegi Jese Zaniya Ko Zina Par Aar dilayi Jati hai _,"*

*📚 (Tibrani, Kanzul Ummal- 11/18)*

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Siyaah Khizab Lagane Par Va'eed :-*

*"❉_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu Se Rivayat hai k Aan Hazrat ﷺ ne farmaya k:-*
*"_ Aakhri Zamane me Kabutaro'n Ke Pote Ki Tarah Log Apni Dadhiyo'n Ko Kaale Khizab Se Rangeen Karenge, Ese Log Jannat Ki Khushbu bhi na Soongh Sakenge _,*

*📚 Akhraja Abu Da'uwd,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Masjid me Duniyavi Baato Ke Liye Halqa Lagana :-*

*❉_ Hazrat Abdullah bin Mas'ud Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Aan Hazrat ﷺ ne farmaya k -*
*"_ Ek Zamana Esa Aayega K Log Masjido'n me Halqa Bana Kar Duniyavi Baate Karenge, Pas Tum Unke Saath Na Betho, Kyunki Allah Ko Ese Logo'n Ki Zarurat Nahi hai _,*

*📚 Akhraja Tibrani _,*
 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ _Kam Aqal Logo'n Ki Bohtaat:-*

*❉_ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu Se Rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne farmaya k -*
*"_ Alamaat E Qayamat me Se hai k Aqale'n Na Paid Ho Jaye'ngi aur Kam Aqalo ki Kasrat Hogi _,*

*📚 Ravaah Tibrani -237,*

*☞_ Waqt me Be Karkati Ka Daur :-*

*❉_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Se Rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne farmaya k -*
*"_ Qayamat Ki Alamato me Se hai k Zamana Simat Jayega Yaha'n Tak k Saal Mahine Barabar, Mahine Hafte Barabar, Hafta Din Barabar, Din Ghante Barabar aur Ghante Aag ke Ek Shole Ke Buland hone Ke Barabar _,*

*📚 Ravaah Tirmizi, Mishkaat -470,*

*∆___ Alhamdulillah Post Mukammal hui _,,*

https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻Follow for Join WhatsApp Channel*

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕                     
       *❥✍ Haqq Ka Daayi ❥*    
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments