Noor E Hidayat- Tableeg Ke Aham Usool (Roman)

❈❦ 02 ❦❈*       
        ☜█❈ *Haqq Ka Daayi*❈ █☞
      ☞❦ *NOOR- E -HIDAYAT* ❦☜           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Har imaan wala Azeem hai,*

*❀ • Musalman ka Martaba uske Fazail ke baqadar Dil me bethta chala jaye ,Adna se Adna Musalman kitna hi gunahgar ho Lekin Allah Ta’ala per imaan laane Kï Vajah se hamari nigaaho me Azeem ho , Tabhi hum uske saath Akhlaq ka maamla kar sakte hai’n,*

*❀. Har Musalman Kï Ziyarat apne ko mumtaaz samajhte hue k Ziyarat se Allah Ta’ala Raazi hote he’n, Barkate haasil hoti he’n ,Rehmate aati he’n aur Muhabbat badhti he aur Musalman Kï Muhabbat imaan ko badhaati he,*

*❀• Jab ek Adna darja Musalman Kï Ziyarat se ye faayda haasil hota he to Ahle ilm aur Ahle Zikr Masa’ikh Kï Ziyarat to bahut Azeem he,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
         *☞_ Aib Beeni se Bache,*

*❀↬• is Dawat me ek khaas cheez ye bhi he k Logo Kï Kotahiyo’n ,Galtiyo’n aur Aibo per nigaah Jane se bacha jaye,*

*❀• Aur agar Shaitaan waswasa daal hi de to Tauba v istagfaar se aur us Muslim se Muhabbat aur Akhlaq se milne se is Kami ko poora kiya jaye Aur Teen Cheezo ko Kaam me Laaya Jaye :-*

*"_1- Jab mile to usko Salaam kare'n,*
*"_2- Jab Wo Aapke Paas aaye to usko achchhi jagah bithaaye aur uska ikraam kare'n,*
*"_3- Aur Kabhi Kabhi use Hadiya de'n,*

*❀ • Tauba v istagfaar ke saath Ye Teen cheeze mo’assir hai’n,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Ahle ilm ko Apna Sar-parast Samjhe’n,*

*❀↬• is Kaam me Aam logo ko nikalne Kï Dawat zaroor Dï jaye ,Lekin Ye khayal rakhte hue k Agar ye Dawat me chalenge to mujhse behtar tareeqe se chalenge ,aur inse Deen ke failne me zyada madad milegi Aur Ahle ilm ko Apna Sar-Parast samajh kar unki ziyarat aur unse Duao’n Ka Taalib ban kar mila jaye,*

*❀• Mashwara to har Fun me Uske Fun walo se liya jata hai ,Maslan kisi ko Aankh Ka Operation ke bare me Mashwara karna he to Wo har Doctor se Mashwara nahi karega, Jo har uzv Ka thoda thoda ilaaj karte he’n, Balki Khaas Aankh Ka ilaaj karne wale Doctor hi se Mashwara karega, Ye to Duniyavi misaal he,*

*❀ • Aur Deeni misaal ye he k Agar kisi ko Masla puchhna he to use Mufti ke Paas Jana chahiye Har Aalim se Masala nahi puchhna chahiye ,Kyuki Mufti Masail ke Fun Ka maahir hai,*

*❀. Agar bager Mashwara liye koi shakhs Mashwara dene lage to uski Baat ko goar se ahatmam se suna jaye aur usko Mukhlis aur Khair khwah khayal kare Jisse Wo ye na samjhe k meri baat Kï qadar nahi Kï,*  
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Nabvi Usool Chhodne ke Nuqsaanaat,*

*❀↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Duniya me Deen ko failane ke liye kuchh buniyadi usool qaayam farmaye, Jab tak Wo Usool poore tor per zinda rahe aur Ummat un per chalti rahi aur Kaam karti rahi Deen Ka har Juzv ummat ke har fard Kï taraf pahunch raha tha aur So fi sad (100%) Deen Duniya me fail raha tha,*

*❀• Kuchh Arse ke baad Daayra e islam wasee ho Jane Kï vajah se aur kasrat se Qaumo ke islam mai dakhil hone Kï vajah se Kuchh istambaati Shakle akhtyar karna zaroori hui, Lekin Wo istambaati Shakle itni ahmiyat pakad gayi k Buniyadi Usool nigaaho se ojhal hote gaye, Jiske Teen nataaij Ummat per murattab hue,*

*❀ • Pehla nuqsaan to ye hua k Deen poori Ummat me pahunchna band hone laga balki sirf afraad isse mustafeed hone lage. Doosra nateeja ye aaya k har ek ne Deen Ka ek juzv apni mehnat ke liye makhsoos kar liya aur usooli tareeqe se poore Deen per uski Mehnat na rahi,*

*❀• Aur Teesra Nateeja ye aaya k Aapas me ikhtilafaat paida ho kar ek Shoba wale Doosre Shobe wale se takrane lage aur badzan hone lage aur bajaye madadgaar banne ke muqaable per aane lage, Jisse Deen ko bahut nuqsaan pahunchne laga,*

*❀_ isliye Buniyadi usoolo ko zinda karke saamne rakh kar chalna zaroori hai,*

*❀_ 1–Sabse Pehle Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ne har Ummati ko Daayi banaya, gareeb ho ya Ameer Kaashtkaar ho ya Taajir, Har ek Deen Ka Daayi tha• Kyuki Jab So fi sad Ummat Dawat de rahi hogi to Deen So fi sad insaano me aa jayega, Har ek Kï Dawat uske ilm ke ba qadar thi,*

*❀• 2- Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ne Deen seekhne sikhane Ka asal markaz Masjid ko banaya, Sahaba Raziyallahu Anhum Masjid me aa kar Deen seekhte the ,Jisme unke Teen tabqaat the:-*

*❀ • Ek Tabqa Wo tha Jo Bivi Bachcho aur Duniya Kï mashgooli se Faarig tha ,Ye Ashaabe Suffa me dakhil the,*
*"_ Doosra Tabqa Jo mamooli mashgala apni ma’asiyat ke liye karta lekin aksar waqt uska Deen ke liye faarig tha, isme Aksar Muhaajir the,*
*"• Teesra Ansar Ka Wo Tabqa Jo apni Kheti Bagaat ke Kaamo aur Doosre mashagil me masroof hote ,Koi Raat ko, Koi Din me ,Koi aadha Din, Koi aadhi Raat seekhne me lagata tha,*

*❀• Islam me Naye aane wale badhte ja rahe the Yahya tak Khulfa e Rashedeen ke Zamane me bahut se Shehar fateh ho chuke the aur qaume Islam me dakhil ho rahi thi ,Lekin Masjid se Bahar Koi imaarat Deen seekhne ke liye nahi thi,*

*❀_ isme khaas Raaz ye maloom hota he k Jin adaab aur Kaifiyaat ke saath Deen Masjid me liya ja sakta he Masjid se bahar lena Aadtan namumkin he ,Maslan Masjid me Duniya Kï Baato se hifazat ,Hansi mazaaq se Hifazat ,Ba Vazu rehna ,Zikr Kï kaifiyat se rehna aur Takbeere Avla se Namaz Padhne Ka Ahatmam vagera esi cheeze hai’n Jo Deen seekhne me Azmat aur Azmiyat paid a karti hai’n aur Amaal Kï Tofeeq Kï taraf Rehnumayi karti he,*

*❀_3-Deen seekhne ke liye Bado ko Jo Mukallaf hai’n aur Qur’an Kareem me mukhatib me Avval qaraar diya gaya unse ye nahi kaha gaya k Tum to Tijaarat aur Khetiyo me hone Kï Vajah se Mazoor ho Apne Bachcho ko hamare pass bhej diya karo, Ashabe Suffa unko Deen Sikhaya karenge, Balki Bado ko ahatmam se bulaya jata, Budha ho ya Jawaan, Kheti wala ho ya Taajir usko Deen Seekhne per Amaada kiya, Kyuki Deen ko Apne ghar me, Karobaar me, Apne mamlaat me Bada hi naafiz kar sakta he ,Chhoto Ka kaam nahi aur Jannat Dozakh Ka Yaqeen Karke Bada hi Chal sakta he Chhota nahi aur Awamire Khudawandi Kï Azmat Bada hi Samajh Sakta he,*

*★•4- Deen ko Bager ujrat seekhne Sikhane Ka nijaam qaayam farmaya aur Har Shakhs ko Apne maathat ko Deen sikhane Ka Zimmedar qaraar diya, Jab Har Shakhs Apne ghar me Deen sikhayega aur Apne Bachcho ko Muallim banayega to ujrat aur muawza Ka Sawal hi nahi aayega ,is tarah bager maal ke har Shakhs Deen Ka Sikhane aur Seekhne wala ban sakta he,Jesa k Sahaba kiraam bane,*

*★•Kyunki Deen insani zindgi ke liye ESA hi zaroori he Jese Jismani zindgi ke liye Hawa aur Paani, Haq Ta’ala ne Hawa aur Paani tamaam insano ke liye muft hi rakha, ESE hi Deen ko Seekhne aur Sikhane ko bhi bager Muawza ke rakha gaya taki har gareeb, miskeen, yateem Gaa'nv ke rehne wale Deen seekh sake,*

*★• Deen Seekhne Sikhane ke liye na chanda jama kiya gaya na usko targeeb Dï gayi , Balki unko Faaqo me Deen Seekhna padhta tha, Jisse Deen Kï Azmat aur Ahmiyat unke Dilo me badhti thi,*

*❀↬•5- Deen me Sabse pehle imaaniyaat iske baad Akhlaqiyaat sikhaye jate the, Jiska pata is Hadees se chalta he k Hazrat Jaafar bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu se Jo sawalaat Shaahe Habsha ne kiye k Tumhare Nabi Sallallahu Alayhivasallam tumhe kya Taleem dete he’n ?*

*★_ Unhone Jo Jawabaat diye woh qabile gor he, Kyuki ahkamaat per Amal unhi sifaato ( imaan aur Akhlaaq ) se ho sakta he ,Varna Allah Ta’ala ke ahkaamaat per Amal karna asaan nahi rehta,*

*★• Aaj hamare is zamane me Deen Seekhne Sikhane Kï Tarteeb badal Jane Kï vajah se Amal karna mushkil ho raha he , Agar in Do Cheezo ( Imaan v Akhlaaq ) ko pehle sikhaya jaye taki insaan Kï imaani taaqat Akhirat ke istehzaar ke saath sahi Kaamil ho jaye,*

*★• Akhlaqiyat andar aa jaye to fir Akhlaaqi Masail per bhi adawat Ka aur takraav Ka maidaan qaayam nahi hoga ,Balki Sahaba Kiram Kï tarah Juzvi ikhtilafaat ke bavjood ittefaaq v ittehaad ulfat v Muhabbat v ikraam baqi rahega ,*

*★• in Buniyadi Usoolo ko qaayam karte hue fir istambaati Shakle, Madaris aur Khaanqaho Kï aur Bachcho Kï Taleem dene Kï bahut mufeed saabit hongi ,aur Ye Shakle bhi bahut zaroori he’n magar inki zarurat Buniyadi usoolo se kam he,*

*★. Aaj Buniyadi cheeze baqi na rehne Kï vajah se imaan is Qadar kamzor ho chuke he’n k Fara’iz Ka ahatmam niflo se ghat gaya jiski vajah se Deen apni ahmiyat v Azmat ke saath aur tawakkul aur Taqwa ke saath nahi seekha ja raha ,Jiska Nateeja ye hua k Deen walo me ikhtilafaat Jis qadar adawat ko pahunche shayad Duniya walo ke bhi na pahunche ho,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Dawat Ke Maidaan me Seekhna Sikhana– imaani Sifaat,*

*❀↬• Agar hamara Seekhna Sikhana Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Kï Tarteeb per aa jaye K Hum Dawat ke Maidaan me chalte hue seekh rahe ho aur Sikha Rahe ho to Ab bhi Deen ka Har Juzv aur Har Shoba So fisadi Ummat me Zinda ho sakta he, Aur ilm v zikr Jo poore Deen Kï Maa’n he aur har fard ke liye Rooh imaani ko taqwiyat dene wala he Har Kachche aur Pakke ghar me ,Har Qalbe saleem me Apni Azmat ke saath dakhil ho sakta he,*

*❀• A'amaal bager sifaate imaani ke kamzor aur be jaan he Ye sifaate imaani, Taqwa,Tawakkul, Zuhad fidduniya, Qana’at, Sabr v Shukr aur Hubb hai’n,*

*❀• Jab ye Sifaate Amaal jhalakti hai’n to Amaale Hasna vajood me aate hai’n aur Ragbat v rahbat Kï kaifiyat paida hoti chali jati he. ,aur Jab ye Sifaat Muslim ke andar paida honi band ho jati he to Amaal mushkil hote chale jate hai’n, Amaale Saleha se Yaqeen paid a hone ke bajaye Duniya Kï Cheezo se Yaqeen banta chala jata he ,fir Deen per Duniya raa’ij hoti chali jati he,*

*❀. Duniya insaan ke Dilo dimaag per esa tasallut karti he aur qalb me esi Azmat v Muhabbat paida kar deti he k Uske muqable me fara’iz ke ada karne Kï bhi parwaah nahi karta,*

*❀• isliye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka tarze tareeq Sifaate imaani paida karne wala he aur Sifaat hi se Momin Momin ke liye aalishaan banta he aur Ameer gareeb ka gareeb Ameer ka hamdard ban jata he, Har ek ko Akhirat ka fikr badhta jata he,*
  
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Hamari Be Usooliya’n Rukawat Hai’n,*

*❀↬• Maafi chahna aur maaf kar dena Haq Ta’ala ko bahut Mehboob he ,Jab ye dono Sifaate Muslim ke Andar aa jati he’n to Allah Ta’ala Uske liye “Afu ” aur ” Kareem ” ban jata he,*

*❀• Agar logo ko ye pata chal jaye ,awaam ho ya Khawaas k is Dawat ke zariye kya chaha ja raha he aur is per kya Nateeje Murattab hote he’n to har ek is ( Dawat ke ) Maidaan me chalne ke liye apni zindgi waqf kar dene per taiyaar ho jaye,*

*❀• Lekin Hum na ahal apni Baat ko samjha nahi sakte aur Shaitaan aur Nafs Jo hamare Sabse Bada dushman hai’n Wo Hume Sahi Tareeqe se Dawat me chalne se Rok dete he’n,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Ikraam e Muslim Sabse Bada Hathiyaar He,*

*❀↬• Ikraam e Muslim Sabse Bada Hathiyaar he Jo Dushmano Kï gardano ko zer kar deta he, Lekin iske karne ke liye Nafs per Bada mujahida karna padta he, Muqabil Kï laanat v Himakat ko bardasht karna aur usko Aziyato per tahammul karna padta he, Jisse Khud bhi ban Jata he aur Doosro ko bhi bana deta he,*

*❀• “( Irshad he k ) Neki aur Badi barabar nahi he to Us cheez ke Saath Badla do Jo achchhi ho, ”Ye Baat har waqt peshe Nazar rahe,*

*❀ • Hum kisi Musalman ko Mukhalif aur Deen ka radd karne wala na samjhe Balki Yu’n samjhe k Bahut se ahwaal Uske liye hamari Baat qubool karne me rukawat hai’n,*
 
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Adm e Qubooliyat Kï Vajah,*

*❀↬• Agar Wahi Deen Kï Baat Jo usko esa Shakhs kahe Jisse Wo aqeedat aur Muhabbat rakhta he to foran Maan lega,*

*❀• Maloom hua k Wo Deen ka mukhalif nahi Balki hamare ahwaal Kï vajah se hum se darta he aur qubool karne me taraddud rakhta he k Kahi Wo humse Dhoka na kha jaye,*

*❀• Lekin har Wo Musalman Jo Kalma Padhne wala he Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam Kï Baat ko Radd nahi kar sakta, Jabki use ye Yaqeen ho jaye k Beshak ye Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam hi Kï Baat he,*

*❀ • Magar Zamana e Haal ke tarze tarq ne logo ko Dhoke me daal diya, Kyuki bahut se farishte Sift Zahiri logo ne Deen se bhi Duniya walo ko Dhoka diya aur Apni izzat aur Apni Duniya ko banane Kï koshish Kï ,*

*❀. Isliye Duniya Dari hui he aur ye misaal mashoor he k Doodh ka Jala Chhaanchh ko bhi fook fook kar peeta he,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
          *☞_Mehroomi Ke Asbaab,*

*❀↬• Ek Baat samajhne Kï ye he k Hum Apne Aapko Samjha hua na samjhe taki hum is Kaam ko samajhne Kï koshish karte rahe ,aur taraqqi karte rahe ,Jab Aadmi Apne aapko Kaamil samajh leta he to aage Kï taraqqi ka raasta band ho jata he aur Shaitaan usko wahi’n se gira deta he,*

*❀• Hazrat Maulana Muhammad ilyaas Reh. Ka ek malfooz he k Mujhe kaam karne walo per Do khatre hai’n,*

*❀_Ek ye k Kaam na kar rahe ho aur Samjhe k Hum kaam kar rahe hai’n, Kaam to Chheh (6) Sifaat ko Apne andar laane ka naam he ,Agar ye Chheh baate hamare andar nahi aa rahi he to chahe kitne hi log hamari Baat per Labbek keh rahe ho’n to hamara Kaam nahi hua,*

*❀• Doosre Ye k Asbaab ke hote hue Asbaab per Nigaah na jaye ,Ye to mushkil he, magar Asbaab per nigaah Jane se Allah Ta’ala Kï madad hat jati he,*

*❀• Bande ko Gor karne ke baad ek Baat samajh me aayi k agar kisi Shakhs Kï nigaah apne ouper pad jati he k Mai’n Kuchh karne wala hu’n aur meri vajah se Dawat chal rahi he ,Chahe kisi ilaaqe me ya poori Duniya me,To Allah Ta’ala se darna chahiye k Kahi’n isse mehroom na kar se aur esa hota hua dekha gaya he,*

*❀. Agar logo Kï nigaah kisi ek Shakhs per Jam gayi k uski vajah se ye Dawat Kï gaadi chal rahi he to Allah Ta’ala us Shakhs ko unme se uthaa lete he’n aur Ye bhi dekha gaya he,*

*❀• Kyuki ye Dono baate Asbaab per aitmaad karne Kï he ,halanki Allah Ta’ala hi kar rahe he’n, Kabhi Asbaab ke Parde me, Kabhi bager Asbaab ke, Har waqt nigaah aur Dil ka Rukh Allah Ta’ala hi Kï taraf rehna chahiye,*

*❀_ Aur ye bhi dekha gaya he k agar kisi Deen Kï Baat Ko Halka Samjha gaya to Ye bade khatre me aa jata he aur Yaha’n tak k baaz martaba ESE Amaal karne lagta he ya esi baate kehne lagta he Jo Uske imaan per sakht zad daalti he,*
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
        *☞__Aitraaz se Bacha Jaye,*

*❀↬• Kisi per Aitraaz karna is Dawat ( Tablig ) ke khilaaf he ,Bade Hazrat Ji Reh. Ka maqoola hai:- "_Aitraaz Haraam he aur islaah farz hai _“*

*❀• Aitraaz fasaad Kï taraf le jata he aur Dilo me Adawat paida karta he ,aur islaah Huzn aur (Ummat ke) Gam Kï taraf le jati he ,Aaj Ummat ke Haal per Huzn aur (Ummat ke) Gam ko badhana chahiye ,Jo hamare Andar se nikal gayi,*

*❀• Aitraaz Kï Shaklo se Hifazat karni chahiye ,Jo Roz ba Roz hamare Andar paida ho rahi he, Aitrazaat hi Kï Vajah se Aaj Ummat Tukde Tukde hoti Ja rahi he, Agar har Shakhs Ummat ka Gam khane wala aur ek ek Shakhs per Raham khane wala ban jaye to ye Dawat chalegi,*

*❀. Balki is Dawat me to yaha’n tak chalna he k doosro ko aitrazaat ka jawab bhi nahi dena he, Na Tehreer se aur Na Takreer se aur Na Kana’atan na Sarahatan, isse bhi Aitraaz ka Darwaza khulta he ,Balki Aitraaz karne wale ka ikraam karke usko qareeb kiya jaye aur Apne se manoos banaya Jaye fir uske baad Aitraaz khud rafa dafa ho jayega ,aur Baat samajhne me asaani hogi,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
        *☞__Hikmat aur Tawazo,*

*❀↬• is Dawat me Hikmat Seekhni padti he ,Jo faham me muiyn v madadgaar hoti he,*

*❀• Asal to Hikmat Allah Ta’ala Kï Ataa he ,Jisko bhi de de ,Lekin iska Talluq Seekhne se bhi he ,Sirf ataayi nahi ,Jese Kitaab seekhi jati he, Hikmat bhi Seekhi jati he, Magar ye Hikmat usko aati he Jiske andar Sifaat Qudsiya Paida ho jaye aur Sifaate Shehwaniya magloob ho jaye,*

*❀ • Lihaza Hikmat ke zariye Logo ke quloob ko Haq ke liye inshraah karane me Haq Ta’ala Kï taraf se Dua ke zariye Madad Kï jaye, Varna Alfaze Hikmat munafik Kï Zubaan per bhi aa jate hai’n,*

*❀_. Is Dawat me Jis qadar tawazo aur inksaari badti rahegi, Apna Jahal khulta rahega aur Jahal ke Baad ilm ka darwaza khulta rahega ,Kyuki isse Dawat talabe Saadiq paida hoti he aur Talab hi har cheez ka darwaza kholti he,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞__Bado Kï Sohbat aur Mashwara*

*❀↬• Jo Apne ko Buzurgo Kï nigrani me nahi chalata he ,Shaitaan unko behka deta he, ESE hi Logo se Duniya me Sabse bade Fitne utthe hai’n,*

*❀• Huzoor Paak ﷺ Allah Ta’ala Kï Nigrani me chalte the aur Hazrat Jibraiyl Alaihissalam aur Apne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Mashwara karte the, Jesa Qurane Paak me Hukm he,*

*❀• Ese Hi Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Huzoor Paak ﷺ Kï Nigrani me chalte the, isi tarah Baad me Aane wale Apne se Pehle walo Kï Nigrani me chalne wale the, Jisse Ummat ek Doosre se Judi hui thi aur Hidayat yafta thi,*

*❀• Ab Jabse humne Bado Kï Nigrani aur Mashwara ko chhoda he us waqt se bikhar gaye aur Gumrahi ke Raaste per chal pade, Har Shakhs apni Raay ko sahi samajhne laga Jo ek bahut Bada Khatra he, Shaitaan ne Apni Raay ko sahi samjha to Khuda ka Hukm bhi na Maan saka,*

*❀• Ye kehna k Humne Az khud Maulana ilyaas Sahab Reh. Se faize Sohbat ke zariye aur unka Kalaam Barahe Raast sunne ke zariye Saare Usool Seekh liye aur ab Hum kisi ke Mashware ke mohtaaj nahi, Badi nadaani he aur Bade khatre Kï cheez he, ESA Shakhs na Kabhi Ummat ko Jod sakta he na Jud sakta he, is Dawat me Do hi Bade Kaam hai’n, Ek Haq per Jodna aur Doosra Judna,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
        *☞_6 Number aur Kaam*

*❀↬• Ye 6 number chahe Mansoos min- Al Qur’an v Hadees Qata’yi na ho lekin Mustanabat min Al-Qur’an v Hadees is darje per hai’n k koi Ummat ka Sahi ilm v Yaqeen wala inkaar nahi kar sakta aur in per Aitraaz Kï Gunja'ish nahi rakhta,*

*❀• Raha Tareeqa e kaar to iski Jo Shakl isme akhtyar Kï gayi he ,Jese Gasht,Taleem ke Halke lagana aur Nikalna aur Nikaalna isme gor karne se Do baate maloom hogi ,*

*❀_ Ek ye k Dilo ka Rukh Allah Ta’ala Kï aur Akhirat Kï taraf badalta he Ya nahi ye to Tajurba se ye sabke saamne ye Baat aa gayi k is nizaam me Shaamil hone wale ka Rukh Allah Ta’ala apni taraf badal dete he’n,*

*❀_ Doosre is Tareeqa e Kaar se Tawazo Muhabbat aur Sifaate Hameeda paida hoti he,*

*❀• Lekin Ye tab hi he jabki Khalisan Allah Ta’ala ke liye aur Usool ke mutabiq nikla jaye ,aur Koi garaz darmiyan me na aaye aur nikalne ke baad Apne waqto ko sahi tareeqe se Ameer Kï itaa’at me guzaara jaye,*
  
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_imtehaan Taraqqi ka Zariya Hai-*

*❀↬• Kabhi Kabhi Haq Ta’ala is Kaam ke Karne Walo per ibtla v imtehaan Kï shakl bhi laate hai’n, Jo Kaam karne walo ke liye Madad aur Nusrat ka Darwaza kholne ke liye hoti he, Kabhi bager imtihaan aur ibtla ke Gaibi nusrat nahi aati, Aayate Qurani aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke tamaam ibtla aur imtehaan wale Maidaan is per dalaalat kar rahe he’n,*

*❀_• Isse Akhlaq me taraqqi hoti he ,Asbaab se Yaqeen hatta he, Hikmat ke Parde khulte hai’n, Baseerat badti he, Gaibi Nizaam samajh me aata hai ,aur Allah Ta’ala Kï badi Hikmate iske andar hoti hai’n, Jinko hamari Aqal nahi samajhti ,*

*❀_• Lekin apni Kamzori aur Be basi Kï vajah se Duae’n aur Aaho zaari is darje karte rehna chahiye k be saakhta Zubaan se nikle ” Allah Ta’ala Kï madad kab aayegi “Sirf Takleef se nahi balki be chaini aur be qaraari ke saath zubaane be akhtyar ho kar ye alfaaz kehne lage, is per ”Khabardaar Allah Kï madad qareeb he” Vajood me aayega, Jab imtehanaat khatm ho jate hai’n to khatre Kï ghaantiya’n Shuru ho jati he’n aur Yaqeen ghatne lagta he,,*

*❀↬Huzoore Paak ﷺ ka 23 Saala Daur imtehaan v ibtlaa hi me guzra, ESE hi Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Kï khilafat ka zamana bhi, Khilafate Farooqi me Wo imtehaan v ibtlaa khatm ho gaya aur har tarah Kï Asaani aur Sahuliyat ka daur shuru ho gaya, Jiski Vajah se Zara sambhalna pada,*

*★• isi Tarah se humne Maulana ilyaas Sahab Reh. Ka Zamana Kuchh Suna Kuchh dekha, Wo bhi Kisi qadar ibtlaa v imtehanaat ka maloom hota tha, Logo'n Ka Aam istaqbal na tha aur Shayad hi Teen Din Ke Liye Koi nikalta tha, Tareef Karne Wale Kam Badzani karne Wale Zyada, Yaha'n tak k Ulma bhi mayoosi dilate they, Ya is kaam per ishkalaat karte they aur bahut se Aitrazaat karte the,*

*★• Jama’ato ka na to istaqbaal tha na khane Kï Dawat balki Apni masjido me unka theharna bhi nagawaar samajhte they, Paidal chalna, Chane chabana, Patte khana aur is per bhi Baat sunne ke Liye kisi ka taiyaar na hona, Bada imtihaan tha,*

*★• Lekin ab Daure Farooqi Kï tarah istaqbaal he, Lekin is Zamane me Badi Badi Kamaa'iyo ko Chhod kar Nikalna bhi koi Mamooli Haisiyat nahi rakhta, us Waqt faarig zyada they, is Waqt Mashgool zyada, Ye bhi ek Qurbani he,*

*★•Us waqt Kaam kam tha, Lihaza Zikr aur Tahajjud ke liye waqt faarig hota tha aur ab kaam zyada, Jamaato Kï Mashgooli,Tashkeel, Hidayaat, Rawangi vagera Awqaat ko is qadar ghair gaye k Zikr ka Poora karna bhi Mushkil aur Raat ka Tahajjud padhna bhi, Ye Ek Fitri cheez he, isse Na-ummeed hone Kï koi Vajah nahi,*     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_Kaam Ka Failaav hi Gehraav Ka zariya Hai*

*❀_• Aaj Ek Fiqra Zubaano per aa raha hai k Kaam me Failaav Kï bajaye Gehraav Paida karo, Bande ko Ye Fiqra Shaitaan ka Waswasa maloom hota hai ,Kyunki Ye na Khulfa e Rashedeen ke zamane me Kiya gaya aur na Tabaiyn aur Taba Tabaiyn ke Zamane me K Failaav ko Rok kar Gehraai me lago,*

*❀• Varna Dawat ka mizaaj to ye he k Failaav ke saath hi Gehraai Kï Jis qadar Koshish Apne liye ho sake karni chahiye Kyuki Failaav ko Rok kar Gehraai me lagne hi se Dawat khatm ho jati hai,*

*❀• Duniya walo ne bhi Apne Karobaar me iski koshish nahi Kï, balki Apni Cheezo ko Failaane me koshish badhti hi chali ja rahi hai aur Gehraav unka kam hota chala jata hai,*

*❀• Ye ek qudrati nizaam hai k Jab Failaav zyada hoga tab Gehraai me Kami aayegi, Jab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Zamane me naye naye Shehar Fatah hue aur islaam chaaro taraf faila, us waqt Gehraai Kï kaifiyat kam ho gayi aur Logo me har cheez Kï kaifiyat ghat gayi, Qur’an Kï Aayat bhi iski taraf ishara karti hai k Gehraai Fatah Makka se pehle thi, isme Kami aayi,*

*❀_. Isme bahut so ka ishkaal paida ho sakta hai k Failaav ko Rok kar Gehraai me lagna Dawat ka mizaaj nahi he aur Dawat jab chalegi to Failaav zaroor hoga, Dawat he hi Failane ke liye aur Jo Naye naye islam me aayenge ya Dawat me khade honge Unka Gehraav purano Kï tarah nahi ho sakta,*

*❀_ Khulfa e Rashedeen ka Daur bhi fark dikha raha hai k Jo Gehraai Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke zamane me thi Wo Gazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Zamane me nahi rahi aur Jo Unke zamane me thi Wo Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu ke Zamane me nahi rahi, Lekin islam Aalam me failta chala gaya,*

*❀• Lihaza logo ko is fiqre me nahi padna chahiye, Lekin Kaam karne walo ko Mutavajjah zaroor karte rahe’n k Wo Apne andar Sifaat e Hamidiya aur Yaqeen ko badhane Kï Koshish karte hue chale ,,*
  
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞ Ambiya Alaihissalam Kï Siyaasat ( Politics)*

*❀↬• Isme (Dawat me) ek Bahut badi cheez ye Shart hai k Zamana e Haal Kï Siyaasat me na pada jaye ,Kyuki ye Siyaasat Siyaasate Nabvi se bilkul alag hai aur bahut Ba'ied hai,*

*❀_• Jab Badar Kï taraf Jate hue Huzoore Paak ﷺ ko Raaste hi me maloom ho gaya k Hamare muqable ke liye Quresh nikal khade hue aur Zaahir tha k Wo apni poori taaqat aur Asbaab ke saath nikle hai’n Aur Madina Munavvara Huzoor Paak ﷺ ke qareeb hi tha, do hi manzil chale the To Aapne Madina munavvara se apni Taaqat kyu nahi bulaayi ? Kya cheez ma’ane thi ? Kya Siyaasat thi ,isme kya Raaz tha ? isi tarah Tamaam gazwaat aur asfaar ek gehra sabaq aur gehri Siyaasat rakhte hai’n, Jo is zamane ke Siyaasat walo ke Dimaago per zarb lagati hai,*

*❀ • Gazwa e Mauta me Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ko Jung ka naqsha dikhlaya gaya aur ye bhi jaante the k Jis thodi si tadaad ko hum bhej rahe hai’n Wo Roomiyo ke muqable me bahut kam hai aur Aap ﷺ ke paas us waqt Musalmano Kï tadaad Kuchh kam na thi, To isme kya Raaz tha ?*

*❀_. Siyaasat Duniyavi Faayde Haasil karne ke liye Mushrikeen Kï bhi ho sakti hai Lekin Logo ke Dilo ka Rukh Allah Kï taraf Fairne ke liye Nabi hi Kï Siyaasat ho sakti hai, Nabi Kï Siyaasat se logo ke andar Tawakkul aur Taqwa Kï Sifaat paida hoti hai aur is Zamane Kï Siyaasat se bachna zaroori hai, is Siyaasat se to Ummat ke Tukde Tukde hote hai’n, Ye Gairo per kya Gaalib aayenge Apno ko bhi nahi Jod sakte,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Ikhtilafaat se Door Rahe’n*

*❀↬• Farui ikhtilafaat se bachne Kï is kaam me sakht zarurat aur Takeed Hai, Zamane ke ikhtilafaat Ladaai aur Khoon Kharabe ka Raasta akhtyar kar chale hai’n,*

*❀• Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum me Farui ikhtilafaat se Muhabbat aur ittefaaq v ittehaad kam nahi hota tha aur isse mukhalfat paida nahi hoti thi ,aur Aaj Mukhalfat is darje per Pahunch gayi hai’n k ek Doosre se qata talluq karne lage ,Muhabbat ke bajaye adaawat paida ho gayi,*

*❀• isliye is qaid ko laga kar Ummat ke ikhtilafaat aur inteshaar ko khatm kiya he, Ahle Haq ke tamaam Mazaahib is kaam ko karte rahe hai’n aur unke Ulma bhi is Usool ko pasand Kar ke is kaam Kï Pairvi farma rahe hai’n,,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞_Bayaan Ke Adaab*_

*❀↬• is Kaam mai Sabse Bada khatra Bayan karne walo per hai, Wo ya to Apne Bayanaat Usool se hata dete Hai’n, Kisi Per zarb, Kisi per Aitraaz, Kisi Kï tanqees,*

*❀• Ya fir Bayanaat mai Tawazo Kï bajaye Kibr Kï Shaan Paida ho jati hai, Ye bhi hamare liye bahut khatre ki cheez hai, Bayan ka Tareeqa Khushamadana ho -Jese Chhota Bado se koi baat keh raha ho,*

*❀ • Is waaste jab kisi cheez Kï Kami ko Bayan kare aur Kisi cheez ka nuqs Bayan kare to usme Lafz ”Hum“ istemal karna chahiye k Humse ye qusoor ho raha hai, Humme ye Kami hai,*

*❀. Aur Jab Tareef ka waqt aaye to Lafz ”Aap” ka iatemal karna chahiye aur ye cheez sirf rasman nahi balki Aitraaz Qusoor ke Jazbe se honi chahiye, Apna qusoor aur Apni Kami auro se zyada saamne ho, Taki Doosro ke qusoor aur Kami Kï Vajah se un per Aitraaz ya nafrat Kï shakl paida na ho Kyuki Wo bhi ikraam ke khilaaf hai ,,*

           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞_Ikraam E Muslim:-*

*❀↬• ikraame Muslim ek aham number rakha gaya hai ,Asal ikraam Teen tabqaat ka hai:- Ek Apne saathi, Doosre Ulma aur Teesra Awaam unnaas, in Teeno tabqaat ka ikraam karne Kï Dil ke saath aur ikhlaas ke saath koshish karni chahiye, aur iski mashq karni chahiye,*

*❀• Aur Wo mashq esi nahi k Jese gair Muslim quwwate karti Hai’n balki har ek Kï kisi na kisi sifte hameediya ko saamne rakh kar, K Wo Sift Allah Ta’ala ko Mehboob hai,*

*❀ • Kam se Kam Musalman mai agar Wo sift nazar na aaye to Kalma wala hone Kï sift zaroor milegi aur ye Sabse Badi sift hai ,Aur iska lihaaz karke ikraam karna Goya k Kalma ka hi ikraam hai aur Kalme ka ikraam Allah Ta’ala hi ka ikraam hai,*
        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
        *☞_ikraam ke Aham Usool*_

*❀↬• Ikraam mai Chaar Cheezo ka Usooli tareeqe se lihaaz rakhna zaroori hai, Baqi Cheeze unhi ka hissa Hai’n,*

*★• 1- Aziyat per Sabr,*
*2- Apna Maal un per Kharch karna,*
*3- Har ek ke Saath Muskurate hue Milna,*
*4- Aur Maamlaat mai Narmi karna,*

*❀• Agar in Cheezo Kï mashq karte hue Hum ikraam seekhenge Aur Allah Ta’ala se Dil ke Saath maangenge to in Sha Allah Ye Sift Haasil hogi,*

*❀ • Sabse ounche darjaat ikraam karne walo ke Hai’n aur Sabse badi jaazbiyat ikraam karne walo mai hai, Dushman bhi Zair ho jate Hai’n, Paraye bhi Apne ban Jate Hai’n,,*

           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
  *☞_Husool e ilm me Sahaba Raziyallahu Anhum Kï Tarteeb*_

*❀↬• ilm ka number bhi isme badi Ahmiyat rakhta hai, Ummat ko agar Tareeqa e Nabvi Sallallahu Alayhivasallam ilm ke seekhne Sikhlaane ka maloom ho jaye to So fisadi Ummat mai ilm Zinda ho jaye ,aur is Dawat mai is Tareeqe ko Zinda karna hai,*

*❀• Hamare Zamane ka Tareeqa Khwaas ke Liye hai, Awaam ke Liye nahi hai, isliye ek Tabqa ilm ke buland martabo ko pahunch raha hai k Quran ke haqaa’iq aur Waqaa’iq Bayan karta hai aur Doosra Tabqa Kalme se bhi na waaqif hai aur fara’iz ko bhi nahi jaanta aur aham Aqaa’id Kï bhi khabar nahi,*

*❀• Agar ilm ka Wo Tareeqa Zinda ho jaye Jis per Sahaba Kiraam ne ilm liya to Dono tabqo mai ifaada aur istfaada ka talluq bhi qaayam ho jayega aur har Aadmi ke andar ba-qadre Zarurat ilm bhi aa jayega,*

*❀ • Chunki zamane ka rivaaj ilm ke bare mai aur uska naqsha dimaag mai doosra ban gaya hai isliye Tableeg walo per Aitraaz ye he k ye ilm Kï taraf ragbat nahi karte aur na logo ko ragbat dilate Hai’n,*

*❀. Doosre Awamun naas ko Jinko Kalma aur Namaz tak ke seekhne Kï Zarurat hai ,Aqaaid jaanne Kï Zarurat hai, Halaal Haraam pehchanne Kï Zarurat hai, Maamlaat ke ilm Kï Zarurat hai, Unko Quran v Hadees ke Wo haqaa’iq aur waqaa’iq Sunaye ja rahe Hai’n Jo unke liye bager pehli Cheezo ke Sahi hue zyada faayda nahi rakhte , Jis Cheez Kï Pehli Zarurat hai uska ilm muqaddam hai,*

*❀• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh.ilm Kï nafi nahi farmate the magar ek Tarteeb batlana chahte the taki har Shakhs apni Zarurat ka ilm lane wala ban Jaye aur Wo ilm uski Zarurat ko poora kar de, Mahaz tafreeh Talab na bane, Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Jo Tareeqa e ilm rakhte the usse ilm zyada aam ho sakta hai, baqi tareeqe mufeed zaroori hai magar us darje per nahi aur Unki umoomiyat bhi kam hai,,*
  
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
  *☞_ Zikrullaah me Sahaba Ikraam Kï Tarteeb*_

*❀↬• ESE hi Zikr ka number bahut aham hai aur ye bhi So fisadi Ummat mai usi tareeqe se aam ho sakta hai Jo Tareeqa Nabvi Sallallahu Alayhi Wasallam tha ,Jis per tamaam Sahaba Raziyallahu Anhum apne Karobaar ,Bivi Bachcho, Mashagil mai Allah ka Zikr karne wale bane,*

*❀• Unki Kasrate Zikr Kï Jo shakl us zamane mai thi Wo Tamaam apni zarurato mai chalte aur mashgooli mai lage hue jaari thi ,Chunki iska naqsha is zamane me baqi nahi raha isliye doosri Shakle esi vajood mai aayi Jo badi faragat ko chahti Hai’n, isme bhi Bada faayda hai lekin umoom kam hai aur har Shakhs nahi chal Sakta,*

*❀• Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh. Usi Tareeqa e Nabvi Sallallahu Alayhi Wasallam ke Zikr ko zinda karna chahte the taki poori Ummat mai Zikr ullaah ka rivaaj pad jaye aur Wo ilme deen ke saath bhi aur Duniyavi uloom ke saath bhi aur Apne tamaam mashgalo ke saath bhi chalta rahe,*

*❀ • isse ilm aur Zikr dono ke tabqo mai ulfat v Muhabbat aur ifaada v istfaada Kï raah qaayam ho jayegi ,Kyuki har Musalman dono Sifto ka Sakht mohtaaj hai,,*
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
  *☞_ Tamaam Amaal Kï Pabandi Zaroori Hai_,*

*❀↬• Asal to Shuru ke Do hi number Hai’n- Kalma aur Namaz ,Baqi tamaam cheeze inhi mai Sahat aur Haqeeqat Paida karne ke Liye Hai’n aur inhi ko failaane ke Liye Hai’n,*

*❀• Sahi Dawat per chalne wala Wo hoga Jo in Saari baato ka lihaaz rakhte hue Ummat ke saath Jud kar chale aur Ummat ko Jodte hue chale aur Uska maqsad na apni Duniya banana ho na izzat v Shohrat ho, balki Allah Ta’ala hi ke Kalme ko Buland karna aur Jahaalat ko Khatm karna ho,*

*❀• Apni Saari haisiyato ko iske liye Qurban kare ,lekin isme bhi bahut Bada khatra pesh aa jata hai k Apni Qurbaniya’n qabile Tareef v madah nazar aane lagti hai ,aur doosro se ikraam Talab ka mutaalib ban jata hai,• Hala'nki isme ikraam Talab karna nahi balki doosro ka ikraam karna Seekhna hai,*

*❀. Agar saathi ikraam na kare to Dil mai khayal na aaye k mera ikraam nahi kiya aur iski vajah se kaam mai Susti na aaye varna Shaitaan is baat per le jayega k Saara kiya karaya Zaay ho jayega ,,*

           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
  *☞_ Hubbe Jaah Se Bacha Jaye_,*

*❀↬• Kabhi Dil me ye khayal na aaye k mene Apni Umar Dawat Kï qurbaniyo’n me aur Dawat ke Taqazo per laga di,idhar fir bhi meri Qadar nahi kar rahe balki Aitraaf e qasoor badta rahe k ”Haay ! Maine kuchh nahi kiya aur maloom nahi k Qayamat me mere saath kya maamla hoga aur meri ye Mehnat qubool bhi hogi ya raayga ?*

*❀• Sahaba kiraam Rizwanullah Anhum bavjood apni sahi qurbaniyo’n ke apne andar nifaaq ka Khof rakhte the,*

*❀• Jab tak ye Sift hamare andar paida na ho jaye us waqt tak Sirf alfaaz hi alfaaz Hai’n Haqeeqat nahi ,aur imtehaan ke moqe per Aadmi alfaaz bhool jata hai aur Dil Kï Haqeeqat saamne aa jati hai aur esa Haal ho jata hai k Tote ( parrot ) ko Saalo Kalma padhaya ,Wo har waqt aane walo ke saamne bolta raha lekin Jab Billi ne dabocha to Kalma zabaan se nikalne Kï bajaye ”Taay Taay” nikalne lagi,*

*❀ • isliye har cheez Kï Haqeeqat ka dhyan rakhna hai ,Abhi hamara ye Lafz aur Kalma k Allah hi se hota Hai, Gair se kuchh nahi hota ,Tote ka padhana hai ,Mehnat isko apne Dil mai utaarne Kï karni hai_,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
  *☞_ Gasht Ke Adaab v Ahmiyat_,*

*❀↬• is kaam me Gasht Reed Kï Haddi hai ,Ye tamaam Ambiya Kiraam Alaihissalam Kï Nisbat hai, Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Makka Mukarrama me Taa’if me, Mausame Hajj ke moqe per ,Meena mai Gasht hi farmaya karte the,*

*❀•• Kabhi Tanha ,Kabhi Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ke saath Halanki Wo abhi Musalman nahi hue the,Kabhi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke saath ,Kabhi Zaid bin Haris Raziyallahu Anhu ke saath Goya k infiraadi aur ijtimaayi dono Tareeqe se Gasht farmaya, Surah Yaseen mai Teen Aadmiyo ka Dawat dene ke Liye Jana mazkoor hai, Hazrat Moosa Alaihissalam apne Bhai hazrat Haroon Alaihissalam ke saath Dawat dene chale ,Ye bhi mazkoor hai,*

*❀•• Aaj Gasht Kï ahmiyat nikal gayi aur Wo chhoot gaya ,Sirf masjido ka Vaaz o takreer baqi reh gaya, Wo bhi ganimat hai lekin Gasht kar ke laane per Jo Baat Kï taseer hai Wo bager Gasht ke nahi,*

*❀•• Har ek mugaalte me pad gaya aur Yu samajh liya k Ummat itna imaan rakhti hai k hamare Halaal v Haraam ,fara’iz v waajibaat ,Huqooq v Maamlaat ke Bayan sun kar Amal per aa jayegi,*

*❀•. Hala'nki imaan is Qadar kamzor ho gaya k Sun kar Amal per aana mushkil hai ,Yahi vajah hai k Kasrate Vaaz v Takreer aur Tehreer ke Ummat girti chali ja rahi hai, Taraqqi pazeer nahi ,Bad Amali Kï taraf ja rahi, Amaal Kï taraf nahi badh rahi hai,*

*❀• isliye is Khayal ko Dil me Jama kar k imaan kamzor ho chuka he, Mojooda imaan se Amaal per aana dushwaar ho gaya ,Pehle ese imaan Kï Zarurat hai, Jo khwahishat ke khilaaf Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï taraf kheench le , isliye Gasht Kï bahut Zarurat hai,,*

*❀↬•Gasht mai Apne liye zillat Kï mashq hai (aur Tumme Se koi Shakhs imaan Wala nahi Ho sakta jab Tak k Wo Apne Bhai Ke Liye bhi Wo Pasand na kare Jo Apne Liye Pasand Karta hai) is Sabaq ko Seekhna aur mashq karni hai ,Doosre ikhlaas Kï Mashq hai, Teesre Basirat Haasil karne Kï mashq hai, Chothe Ummat ka Dard aur Gam Haasil hota hai aur Sunnate Ambiya hona to Sabse Badi cheez hai,*

*★• Aur Jis qadar Jaddo Jahad isme pesh aati hai aur Kisi Amal per pesh nahi aati aur Jis Qadar Sabr v Tahammul Kï Sifaat isme Haasil hoti hai aur Kisi Amal mai nahi hoti, Agar ye zinda ho jaye to poora Deen zinda ho jayega,*

*★• Maulana ilyaas Sahab Reh. Ka ek malfooz hai k Hum is kaam se 2 baate chahte Hai’n:-*
*_1- Avval ye k Poori Ummat Jama’ate ban ban kar Gaa'nv Gaa'nv Shahar Shahar Mulk Mulk Aqleem Aqleem Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï Cheezo ko le kar firne Kï Sunnat ko zinda kar ke paaydaar kar de,*
*_ 2- Aur doosri cheez ye k Har Musalman ka Dili Jazba ye ban jaye k mera Kaam is Duniya mai Allah ke Raaste mai Jaan dene ke Siva aur Kuchh nahi,*

*★ • Aur Sahi Usoolo Sahi niyat aur Sahi Jazbe ke saath Gasht kiya jaye to insaano me Deen is tarah failta chala jaye jese baarish ke zariye zameen per Sabza ,Galle ,Fal Fool khilte chale jate Hai’n,*

*★. Aur ye Gasht tamaam Kaamo ke saath, Mashgooliyo ke saath chahe Deeni ho ya Duniyavi, Ahlo ayaal rakhte hue har Shakhs kar sakta he Jese Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum karte the, Agar ye Gasht zinda ho jaye to Deen zinda ho jayega, Apne andar bhi aur Doosro ke andar bhi,*

*★• Tarke layani zaroori hai varna isse Deen Kï Ronaq jati hai aur Ye bhi bahut Dushwaar ban jata hai, Allah Ta’ala Hume Tofeeq ataa farmaye aur Hamare liye asaani farmaye, ( Aameen),*

           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞_ Daayi Kï 8 Sifaat:-*

*↬• Daayi mai Ye Aath Sifaate Hona chahiye:-*
*★• 1-Ummat ke saath Muhabbat ka hona,*

*★• 2- Apni islaah Kï Niyat se Dawat dena,*

*★ • 3- Jaan v Maal v Waqt Kï Qurbani ka Jazba hona,*

*★. 4- Takabbur aur Badaai Kï bajaye Aajizi v inksaari ka hona,*

*★• 5- Kaamyabi Milne per Allah Kï madad samajhna,*

*★• 6- Logo ke na maanne per Na- Ummeed na hona,*

*★• 7- Logo ke Takleef dene per Sabr karna ,*

*★• 8- Aur Har nek Amal ke Aakhir mai istigfaar karte rehna ,,*
 
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
         *☞_isteqamat Ke 17 Asbaab _*

*❀↬• Dawat mai isteqamat Ke 17 Asbaab Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab ne Tehreer farmaye:-*
*★• 1- Jo is Kaam ko Dil ke saath Karega Wo Jamega,*
*★• 2- Jo Rozana Dawat dega uske jazbaat bante rahenge ,Jo Dawat nahi dega uske Jazbaat toot te rahenge,*
*★• 3- Jo maahol mai rahega Wo Jamega ,Jo Maahol se katega Wo Dawat se kat jayega,*

*★. 4- Jo is kaam mai Rukhna Daalega Wo katega,*
*★• 5- Ameer Kï itaa’at aur Mashwaro ka paaband rehne wala Jamega,*
*★• 6- Jo Kisi ke Aib dekhega wo is kaam se katega ,Jo Achchhaiyo ko dekhega Wo jamega,*
*★• 7- Jo Tawazo akhtyar karega Wo Jamega ,Jo Takabbur ke saath chalega Wo nahi jam sakta,*

*★• 8- Baaz Gunaah ESE hote Hai’n Jinki vajah se Kaam se mehroom ho jata hai,– Geebat Agraaz Tanqeed, Bad- nazri ,Shehwat,*
*★• 9- Jo mazahib tavajjah istigfaar karta rahega Wo Jamega,*
*★• 10- Jo Doosro Kï Galtiyo’n ko Apne ouper lega Wo Jamega ,Jo Apni galti doosro per daalega Wo nahi jam sakta,,* 

*❀_11- Jo Huzoor ﷺ ke saath Munaafqat karega Nafa nahi utha sakega hatta k imaan bhi Naseeb na hoga,*
*★• 12- Jo Doosro Kï Galat baat Kï taaveel kar ke Achchhe Ma’ani matlab Kï taraf le jayega Wo jamega, Jo har baat ka ulta matlab lega Wo nahi jamega,*
*★• 13-Jo Aadmi Allah Ta’ala se darte hue aur maa'ngte hue chalega Wo Jamega, Jamne ko maa'ngna padega varna hil jayega, Huzoor ﷺ bhi isteqamat Kï Dua maa'ngte the, Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne bhi Dua Maa'ngni, ”Ey Allah ! Mujhe But Parasto Kï But Parasti se bacha ,” Halanki unse But Parasti ka imkaan bhi na tha, Unhone maa'nga to hum kya cheez Hai’n,*

*★. 14- Jo ikhlaas se Qurbani dega Allah Ta’ala use har haalat me jamayega, Ese moqo per jab Logo'n ke Qadam ukhad rahe ho'nge, Allah Ta’ala A’ala darje Kï Raza Naseeb farmayega,*
*★•15- Jo Ye kahega k meri vajah se Kaam ho raha hai, Wo Mehroom ho jayega, Jiske mutalliq log ye samjhenge k iski vajah se kaam ho raha hai, Allah Ta’ala use uthaa lenge,*

*★• 16- Hazrat Ji Reh. Farmaya karte the Jo Naqal per ukhdega Wo Asal per kese jamega, Hum to Naqal karne wale Hai’n,*
*★• 17- Jo Poori Ummat ke Gam le kar chalega Uske Dil Kï kaifiyat ko Allah poore Aalam per daalenge,*

*★_Saaf si Baat hai k Koi bhi kaam Sahi Usoolo ke mutabiq karne per hi Sahi nateeja deta hai, Tableegi kaam ke Usool Jaanne Ke Liye hamare paas isse behtar koi Zariya nahi k Baani e Jama’at Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ke qareebi logo se kaam ke Usool seekhe ,*

*★_ Hazrat Maulana Sa'eed Ahmad Khan Sahab Reh Bade Hazrat Ji Maulana Ilyas Sahab Reh. Ke bade Qareebi Rafeeq hone ke alawa Khud bhi Bade Aalime Deen they aur Umr bhar ka Tabligi Tajurba rakhte they, Unki Ek Ek Baat Hamare Liye Qeemti Sarmaya aur Qabile Qadr Ni'amat hai, Apne Do Qareebi Rafeeqo ko Unhone Ek Taveel khat likha tha jisme Tableeg ke Aham Usoolo ka Tafseeli Zikr kiya gaya tha, Us khat ko Humne Haqq ka Daayi Group Ke Zariye Aapki Khidmat me "Noor E Hidayat" me pesh kiya, Allah Ta'ala hum Sab Saathiyo ko Amal ki Tofeeq ata farmaye, Aameen,*

*💤 Hazrat Maulana Sa'eed Ahmad Khan Sahab Reh. _,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
https://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻 Visit For All Posts _,*
https://chat.whatsapp.com/DsQk3786EvG3qjKxWF7Hsl
*👆🏻 What's app Per Mukammal Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/LmMjlq3Rmoi67AxLFcZxqI
*👆🏻 What's app Per Sirf Roman Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
                         ⚫☆⚫

Post a Comment

0 Comments