Gharelu Jhagdo Se Nijaat - Padosiyo Ke Jhagde (Roman)

🎍﷽ 🎍
┯━══◑━═━┉─◑━═━━══┯
*●• GHARELU JHAGDO SE NIJAAT •●*
*●•(PADOSIYO'N KE JHAGDE) •●*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Deen E islam me Kushada Rui ki Taleem:-*

*★_ Deen E islam Deen E Fitrat hai, Har insaan Ko Aapas me Pyar aur Muhabbat se Zindgi guzarne ka Sabaq Sikhata hai, isliye Qur'an Majeed me Allah Rabbul izzat ne is Baat Ki Taleem di k Hamare Jis Bande se bhi Mulaqaat ho Hum usse Kushada Rui ke Saath mile aur Achchhe Andaz se Guftgu kare'n, isme Musalman aur Gaur Muslim ka koi Farq nahi,*

*★_ Do insaan Jab Aapas me milte Hain to insaniyat ka Taqaza ye hai k Aapas me insaano ki Tarah mile, Chuna'che Shari'at ne Kaha- Logo'n ke Saamne Moo'nh na Fulao ! Jab Tum insaano se milo to Kushada chehre ke Saath Milo, Tyoriya'n chadha kar milna, Moo'nh bana kar milna, Shari'at ne isko pasand nahi kiya,*

*★_ To Sabse Pehle farmaya k Jab Ek Doosre ko Miloge to Ek Doosre ke Chehre se Tumhe Andaza hoga k Tumhare Andar Khushi hai ya Gussa hai, Khair hai ya Shar hai ? Jab Tum khile Chehre ke Saath miloge to Doosra Banda Tumhare Qareeb aane ki koshish karega, To Momin ko chahiye k Jab bhi kisi se mile to Kushada chehre ke Saath mile,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Nabi Kareem ﷺ ki Sunnate Mubaraka:-*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ki Aadate Mubaraka thi, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k Nabi ﷺ jab Ghar me Tashreef laate they Hamesha Muskurate chehre ke Saath aate they, Kuchh Nojawano ko dekha Daftar me, Majlis me, Dosto'n ke Saath khoob gapshap hoti hai aur ghar aate Hai'n to Chehre ke Ouper Esi Sanjidgi hoti hai k Maloom nahi Ye kis Musibat ke andar giraftar ho gaye hai'n, Ye bhi Khilafe Sunnat hai,*

*★_ Do Musalmano ka milna to bahut hi badi baat hai, Shari'at ne kaha k insaan hone ke Naate kisi Gair Muslim se bhi Milo to Kushada chehre se milo, Muskura kar baat karo, Doosri Jagah farmaya k Jab Tumhe Guftgu Karni pade to Sheeri Zubani se baat karo, Logo'n se Achchhe Andaz me Guftgu karo,*

*★_ Tumhare Moo'nh se Jo Guftgu nikle usme Muhabbat Hamdardi Gamgusari Sheeri Kalami honi chahiye, Aap dekhiye k Momin aur Gair Momin isme koi Farq nahi, Shari'at ne isme "Linnaas" ka Lafz istemal kiya Yani insaano ke Liye,*

*★_ To ye Do Baate kis qadar Aham hai'n aur islam ki Haqqaniyat ki kitni Pyari Daleel hai k Jo Har Ek ke Saath, Khile Chehre ke Saath Sheeri Zuban ki Guftgu karne ki Taleem deta hai,*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ne farmaya k Aasaniya'n karo Mushkil na karo Logo'n ke Liye, Goya Teen baate maloom Ho gayi, Ek Kushada Ravi, Doosra Sheeri Kalami aur Teesra Sahulat v Aasani to is Deen ki Talimaat kis qadar Khoobsurat hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Zyada GarmJoshi Se Milne Ki Fazilat:-

*★_ Nabi ﷺ ke irshad Ka Mafhoom hai k jab Do Musalman Bhai Aapas me milte Hai'n To Allah Rabbul izzat un par Sattar Rehmate Naazil farmate hai'n, inme se Unhattar Rehmate Usko Milti hai Jo Dono me se Zyada Pyar Zyada Muhabbat aur Zyada GarmJoshi ke Saath milta hai _,*

*★_ Kya Khoobsurat baat kahi gayi ? Aapki aate Jaate Darjano Logo'n Ke Saath Salamu Alaikum hoti hai to Agar Aap khile Chehre se Salam kare'n, Muhabbat Pyar se Haal Ahwaal poochhe'n aur Milne me GarmJoshi dikhaye'n to Farmaya k Sattar Rehmate Naazil ho'ngi aur Unme se Unhattar Rehmate us par Naazil ho'ngi Jo Zyada GarmJoshi se milega, Jo Zyada Muhabbat ka izhaar karega,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Do Bhai Do Haatho'n Ki Maanind :-*

*★_ Ek Hadees Paak me hai k Do Bhaiyo'n ki Misaal Do Haatho'n Ki si hai, Jis Tarah Dono Haath Ek Doosre ko dhote hai'n Usi Tarah jab Do Musalman Bhai Aapas me milte Hai'n to Wo Ek Doosre ke Gunaaho ke Jhadne ka Sabab ban jate hai'n, Subhanallah! Kya Khoobsurat Taleem di gayi ! Iska Matlab ye hua jab bhi Do Musalman Bhai Aapas me milte Hai'n to un dono ka milna is Tarah hai jis Tarah Do Haath Ek Doosre ko Dhone ka Sabab bante hai'n, Unke milne se Unke Gunaah jhad Jate Hai'n,*

*★_ Allah Rabbul izzat ko Muhabbat Pyar se milna Agar itna pasand hai to Muhabbat Pyar ke Saath rehna sehna kitna pasand hoga ! Chuna'che Nabi ﷺ Ek martaba Safar per Tashreef le gaye, Ek Sahabi bhi Saath they, Raaste me miswaak banane ki zarurat pesh aayi, Nabi ﷺ ne Do Miswake banayi, Unme se jo Zyada Seedhi thi aur Khoobsurat thi Wo Aap ﷺ ne Sahabi ko di to Wo Sahabi kehne lage - Ey Allah Rabbul izzat ke Pyare Habeeb ﷺ! Mera Ji chahta hai, Ye Seedhi aur Khoobsurat Miswaak Aapke paas ho, Nabi ﷺ ne muskura kar jawab diya k Jis Tarah Tumhara Ye Ji chahta hai k Ye mere Paas ho, mera bhi Ji Chahta hai k Ye Tumhare paas ho _,*

*★_ Chuna'che Muhabbat Pyar se Ek Doosre ke Saath rehna, Ek Doosre ka ikraam karna, izaat karna, Ye Deen ki Buniyadi Talimaat me se hai'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Saath rehne ka Maza :-*

*★_ Hamare Buzurg is Tarah rehte they k Doosro ko unke Saath rehne ka maza aa jata tha, Chuna'che Ek Sahab kehte hai'n k mujhe Abdullah Raazi Reh. Ke Saath Safar karne ka moqa mila, Safar Shuru hone se pehle unhone Kaha k Achchha batao Humme se Ameer kon hai ? Maine Abdullah Raazi Reh. Se kaha- Ji Aap Sabke Ameere Safar hai'n, Unhone Kaha– Bahut Achchha ! Ab Agar Mai'n Ameer ban gaya to Tumhe poore Safar me meri Baat ko maanna hoga, maine kaha-Haazir hu'n,*

*★_ Chuna'che unhone apne aur mere Saaman ko Baa'ndha aur Apne Sar pe rakh liya, maine kaha-ji mujhe uthane de'n, kehne lage k Aap mujhe Ameer maan chuke hai'n Ab Jo Mai'n kar raha hu'n mujhe karne de'n, Mai'n bada Hairaan, Chuna'che dono ka Saaman unhone khud uthaya, chale, Raaste me jab khane ka Waqt aata to Wo Khana mere Saamne rakhte aur mujhe Hukman Zyada khilate, Hattaki Ek jagah Baarish Ho gayi to Wo Apni Chaadar le kar Ek Ghanta mere Ouper Saaya kiye rahe Taaki Mai'n Baarish se bacha rahu'n aur Araam ki Neend Soya rahu'n, Maine kaha k Ji mujhe Aapki Khidmat karni chahiye, Jab Mai'n baat karta to wo kehte - Dekho Aap mujhe Ameer maan chuke hai'n, Lihaza Ab Jo Mai'n Kahunga Wo Aapko karna hoga,*

*★_ To kehne lage k Mai'n Afsos hi karta raha k Kaash maine unhe Ameer na banaya hota, Mai'n to unki khidmat hi na kar Saka, Saari Khidmat unhone Apne hi Zimme le li, Ab Ese Rafeeq E Safar Kaha'n milte Hai'n ? Shari'at ne is qadar Khoobsurat Andaz se mil jul kar rehne ki Talimaat di k Agar Banda Shari'at ke Mutabiq rahe to unko Zindgi guzarne ka maza aa jaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Talimaat E Shari'at:-*

*★_ Chuna'che Jab Ek Doosre Ke Saath rahe'n to Shari'at Kehti hai k Ek Doosre se Jhoot na bole, Khayanat na kare'n, Geebat na kare'n, Ek Doosre ke Raaz Faash na kare'n, Balki Hamare Aslaaf farmaya karte they k Dosti ke Qaabil Wo Shakhs Hota hai k Jisko Tere Kisi aib ka Poora Pata ho aur Fir Wo Tere aib ko Chhupaye, Balki unke Alfaaz ye they Jo Tere aib ko is Tarah Jane Jis Tarah Allah Rabbul izzat Tere aib ko Jaante hai'n aur fir Wo Tere aib ko is Tarah Chhupaye Jis Tarah Allah Rabbul izzat Tere aib ko Chhupate hai'n, Allahu Akbar Kabeera!*

*★_ Ye Baat padh kar Hairan ho jate hai'n:- Allah Rabbul izzat ke Akhlaaq se Apne Aapko muzayyan karo, iska Namoona dekhna chahte ho to Aslaaf Ki Zindgiyo ko dekhna chahiye, Chuna'che farmaya karte they k Jo Shakhs Chaar Halaat me Badal Jaye, Chaar Soorate Haal me Jo Badal Jaye wo Na Qaabile bharosa hota hai, Khushi mile aur Wo Apne Saathiyo'n ko bhool jaye, Gussa me Apne Talluq ko bhool jaye, Kisi Cheez ki Tam'a ho aur Apne Talluq ko bhool jaye, Khwahish Nafsani ki khaatir Talluq ka khayal na rakhe, To farmaya k Esa Aadmi Na Qaabile bharosa hota hai, Dosti ke Qaabil nahi Hota,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Jo Apne Liye Pasand Wohi Doosro Ke Liye:-*

*★_ Abu Darda Raziyallahu Anhu Ek jagah gaye to Do Bel Jo Hal me istemal hote they ikatthe bethe hue they, Ye Jese Hi unke Qareeb se Guzre to Ek Bel utha aur Saath hi Doosra bhi uth gaya, Abu Darda Raziyallahu Anhu ki Aa'nkho me se Aa'nsu aa gaye, Farmane lage - Dekho ! Ye Jaanwar hai'n, Bel hai'n, Ek utha to Doosra uske Saath uth khada hua, Agar ye Apne Saath ko is Tarah nibha Sakte hai'n to kya insaan Ek Doosre ke Saath ko is Tarah Nahi nibha Sakte? Inhi Jaanwaro ko dekh kar bhi Wo Sabaq Haasil karte they,*

*★_ Chuna'che Deen E islam ne Ek Bahut Pyari Taleem di, Ye kaha k Jo Tum apne Liye pasand karte ho Wohi Tum Doosre ke Liye Pasand karo, Ye Zindgi guzarne ka is qadar Khoobsurat usool hai k poori Duniya me Aap chale jaye'n Aapko isse zyada Haseen aur Khoobsurat Usool aur Koi nahi mil Sakta,*

*★_ Ab insaan chahta hai k Log Uski izzat kare'n to use Chahiye k Wo Doosro ki izzat kare,insaan chahta hai k Doosre Uski Galtiyo'n ko Maaf kar de'n to Wo Doosro Ki Galtiyo'n ko Maaf kare, insaan chahta hai k uske Ghar ki izzat ki log Hifazat Kare'n to use Chahiye k Doosro ki izzat ki Hifazat kare, Ye Kitna Pyara usool hai k Jo Tum apne Liye pasand karte ho Wohi Cheez Tum Doosro Ke Liye Pasand karo_,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bhalayi Har Ek Ke Liye:-*

*★_ Chuna'che Shari'at ne Kaha k insaan Ko Chahiye K Har Ek Ke Saath Bhalayi kare Agarche Nek ho ya Bad ho Yani Nek ke Saath bhi Bhalayi kare aur Bure ke Saath bhi Bhalayi kare, Bure Ke Saath Bhalayi Kya hogi k Pyar Muhabbat Ke Saath Usko Burayi se Rok le, Esi Muhabbat de k Wo Burayi se Baaz aa jaye,*

*★_ Kisi ne kaha k Nek to Bhalayi ke Qaabil hota hai Bad to Bhalayi Ke Qaabil Nahi Hota, Unhone Jawab diya k Agarche Wo is Qaabil Nahi hota magar Tum is Qaabil ho k Tum Doosre Ke Saath Bhalayi Ka Maamla karo, To Apne ko dekho isliye K Allah Rabbul izzat Nek aur Bad Har Ek ke Saath Bhalayi karte hai'n aur Hume Allah Rabbul izzat ke Khulq Ko Apne Andar lena hai,*

*★_ Hamare Hazrat Murshid Aalam Haram Shareef me bethe they to Waha'n Baaz dafa Maa'ngne wale bhi aa jate hai'n, Un Maa'ngne Walo me bade Sahat mand Nojawan bhi Nazar aa jate hai'n, To Ek Shakhs Hazrat ki Khidmat me arz karne laga k Hazrat ! Bahut Maa'ngne wale Yaha'n aate Hai'n, Hume kya pata k Kon Mustahiq hai Ya Mustahiq Nahi, To hum kya kare'n?*

*★_ Hazrat Murshid Aalam ne Uski Taraf dekha aur usse puchha k Achchha Tum ye Batao k Allah Rabbul izzat jo Kuchh Tumhe de raha hai uske Tum Mustahiq ho ? Usne kaha-Nahi, To farmaya k Jab Tumhe Mustahiq hone Ke bager bhi Sab Kuchh de raha hai to Tum bhi Allah ke Bando ko do, Haa'n itna Farq hai k Jo Zyada Mustahiq Nazar aaye usko Zyada de do, Jo kam Nazar aaye usko Zara Kam de do, Lekin diya zaroor karo,*

*★_ Aur Fir Ajeeb baat Samjhayi, Farmaya k is Niyat se diya karo k Allah Mai'n Tera Shukr Ada Karta hu'n k Tune Mujhe lene Walo me Nahi, dene Walo me banaya hai, Allah ka Shukr Ada kiya karo, Dekho Allah Wale kaise Achchhi aur Pyari Baate Doosre Bande ke Dil me utaar dete hai'n,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Sifte Sattari Paida Karne Ki Zarurat:-*

*★_ Chuna'che Mil Jul kar rehna ho to insaan Ek Doosre ke Saath Pyar aur Muhabbat se rahe aur Agar Kisi ke aib Nazar aaye'n to Unki Parda Poshi kare, Usool Yaad Rakhe'n ! Kisi ke Poshida aibo ko Hamesha Poshida rakhna chahiye, Satar Poshi, aibo ko Chhupa lena Allah Rabbul izzat ki Sift hai aur Bande Ko bhi ye Sift Apne andar rakhni chahiye aur Agar Hum Gor kare'n to Hum to Ji hi is Sift ke Sadqe rahe hai'n,*

*★_ Sachchi Baat hai, Ek Buzurg farmate hai'n - Ey Dost ! Jisne Teri Tareef ki Usne Dar Haqeeqat Tere Parwardigaar ki Sifte Sattari ki Tareef ki, Wo Teri Tareef nahi kar raha, Teri Haqeeqat to Esi hai Agar Khul jaye to Log Tujhe Moo'nh na lagaye'n, Teri Taraf dekhna gawara na kare'n, To Hum to Allah Rabbul izzat ki Sifte Sattari ke Sadqe hi Ji rahe hai'n, Agar Allah Rabbul izzat hamare Andar ka Har Pol khol de to Hum To Poori Duniya me zaleel ho jaye'n,*

*★_ Hadees Paak me aata hai Allah Ta'ala Qayamat ke Din Ek Bande ko khada farmayenge aur Uske gird Apni Rehmato ki chaadar ko Taan lenge, Parda kar lenge Makhlooq se, Wo Banda Chhup jayega, Ab us Bande ko kahenge Ey mere Bande! Tune Fala'n Din ye kiya, Fala'n Din ye kiya, Wo kahega Ji ! Uske Bade Bade Sab Gunaah usko ginwayenge, Hattaki us Bande ko Yaqeen ho jayega k Aaj Mai'n Jahannam ki Aag se bilkul nahi Bach sakta, Jab uske Dil me pakka Yaqeen ho jayega to Allah Ta'ala farmayenge - Gunaah to Tu karta tha Lekin Humse Darta bhi tha, Gunaho per chhup chhup kar rota bhi tha, Humne Duniya me bhi Tere aibo ki Parda Poshi ki, Hum Yaha'n bhi Tere aibo ki Parda Poshi farmate hai'n, Jao ! Is Chhup Chhup kar Rone ki vajah se humne Tumhare Gunaho ko Nekiyo'n me Badal diya,*

*★_ Jab Rehmat ka Parda Hatega to Makhlooq dekhegi k us Bande ke Naama Aa'mal me Ek bhi Gunaah Darj nahi, Log Sochenge k Shayad Ambiya me se ye Koi Nabi hai'n k Jisne kabhi Gunaah ka irtikaab hi nahi kiya, Allahu Akbar Kabeera ! Ey Maula ! Aap kitne Sattar hai'n ! Kis Qadar Meharban hai'n ! Aibo ko dekhne ke Bavjood Aap Bande ke Ouper Sattari ka maamla farmate hai'n,*

*★_ Hume bhi isi Tarah karna Chahiye, Padosi Chu'nki Ek Doosre ke Bahut Qareeb hote hai'n, isliye unhe Ek Doosre ke aibo ka Jaldi Pata chalta hai, To Shari'at ne kaha k Chhupte aibo ko Chhupaye'n, Haa'n koi Elaniya aib kare, Khullam Khulla Gunaah kare to ab to usne Apne aib ko khud hi Zaahir kar diya, To Chhupe aibo ko Hamesha Chhupane ki koshish karni chahiye, Ye Allah Rabbul izzat ke Khulq me se hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ruswa Karoge Ruswa Ho'nge:-*

*★_ Ek aur Baat ye hai k Jo Banda Doosro ke aibo ko Kholne ka aadi ho, Dil ke Kaano se Suniye! Farmaya k Jo Banda Doosro ke aibo ko Kholne ka aadi ho ye Banda Apni Zindgi me dekhega k Allah Rabbul izzat uske aibo ko khol kar usko Ruswa karenge, Chahe use Ghar Walo ke Saamne hi Ruswa kare'n, Ye Doosro ko Ruswa karta hai Allah Ta'ala usko Ruswa karenge,*

*★_ Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ki Aadat Mubaraka thi Raat ko Aap chakkar lagate they, dekhte they k Riaya kis Haal me hai, Ameerul Momineen they, Zimmedari bhi banti hai, Chuna'che Aap Ek Makan ke Qareeb se Guzre usme Kuchh Roshni Nazar aayi, Kuchh Baato ki Awaaz Sunayi di, Aapko Mehsoos hua k Yaha'n Kahi'n Zaroor koi na koi gadbad hai, Aap khade ho kar dekhte Sochte rahe, Fir Andar se kabhi Qahqaho ki Awaaz aati, Hattaki Aapki Basirat ne ye kaha k Andar koi Gunaah ho raha hai, Darwaza band tha,*

*★_ Umar Farooq Raziyallahu Anhu they, Hamiyat islami Dil me Bahut thi, Chuna'che Unhone kya kiya k Diwaar ke Ouper chadh gaye, Jab Diwaar ke Ouper Chadh kar Unhone Ghar ke andar Jhaa'nk kar dekha to Ek Mard tha aur Ek Aurat thi, Wo Aurat uski Bivi nahi thi Balki Us Aurat ko usne Gunaah ke liye Raat ko Apne Paas bulaya tha, Umar Farooq Raziyallahu Anhu ne jab usko dekha to usko Door se kaha k O Zina karne wale ! Allah se khof kar, Allah se Dar,*

*★_ Jab Aapne usko ye kaha to usne Aage se jawab diya k Ey Ameerul Momineen ! Maine Ek Gunaah kiya Aapne Teen Gunaah kiye, Puchha k Wo kaise ? Usne kaha k Allah Rabbul izzat ne Qur'an Majeed me farmaya k Tum Tajassus na karo, Aapne Tajassus kiya aur mere Band Ghar ke andar Mujhe dekha, Doosri Baat Qur'an Majeed ne kaha k Tum Gharo me unke Darwazo se Dakhil ho aur Aap Darwaze ke bajaye Diwaar par Chadh kar dekh rahe hai'n, Qur'an Majeed ne kaha k Tum bager ijazat ke Dakhil na ho aur Ahle khana ko Salam kar ke ghar me Dakhil ho aur Aapne iske bager mujhse Guftgu ki,*

*★_ Jab usne ye kaha to Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu ko bhi Ahsaas hua k ye Jo Teen Baate kahi hai'n, hai'n to ye Sachchi, To Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k Achchha Agar Tu Sachchi Tauba ka Vaada kare to Mai'n is Gunaah ko maaf karne ka Vaada karta hu'n, Chuna'che usne Sachchi Tauba ki k Mai'n Aaj ke Baad is Gunaah ka irtikaab nahi karunga, Umar Raziyallahu Anhu ne kaha k Achchha Tum meri Galti ko maaf kar do aur ye keh kar fir Aap Waha'n se Aage Tashreef le gaye,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Padosi Ke Teen Darje:-*

*★_ Shari'at ne kaha k Padosi Ke Teen Darje hote hai'n:-*
*(1)_ Ek Darja to ye hai k Padosi Gair Muslim ho, Ye bhi Achchhe Akhlaaq aur Husne Sulook ka Mustahiq hai, isliye k Padosi Jo hua,*

*★_(2) Doosra Darja ye hai k Padosi bhi ho aur Muslaman bhi ho, Ab isme Do Haq aa gaye, Padosi hone ka bhi Haq aur Musalman hone ka bhi Haq,*
*(3)_ Ek Teesra Darja ye k Padosi bhi hai, Musalman bhi hai aur Rishtedaar bhi hai, Farmaya k iska Haq Teen Guna ho gaya,*

*★_ Sochiye k Jab Shari'at Gair Padosi ka bhi Haq Qayam karti hai to Agar Qarabat daar, Rishtedaar Ek Doosre ke Padosi ho'nge to Unka Ek Doosre par kitna Haq hoga !*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ne Ek Sahabi ko kaha k Tum Masjid ke Darwaze par Khade ho kar Elaan karo k Jaha'n Bande ka Ghar hota hai uske Daaye Baaye Aage Pichhe har Taraf Chalees Gharo Tak Jitne Ghar hote hai'n Wo uske Padosi hote hai'n, To Padosi sirf Wohi nahi hota jiski Diwaar usse ikatthi ho, Nahi ! Nabi Kareem ﷺ ne farmaya k Padosi Chalees Makano tak Hota hai aur Charo Taraf me Chalees Makaan, Ye to Poora Mohalla ban jata hai, To Yu'n Samjho k Shari'at ki Nazar me Poore Mohalle ke Log Padosi ke Hukm me hote hai'n,*

*★_ Chuna'che Nabi Kareem ﷺ ne farmaya k Jibra'il Alaihissalam mere Paas itni dafa Padosi ke Hukm ki Takeed Ke Liye aaye k Mujhe ye Dar hone laga k Kahi'n Bande ke Marne ke Baad Padosi ko uski Virasat me na Shamil kar liya jaye, isse Hum Andaza Laga Sakte hai'n k Padosi ka kitna Haq hai,*

╥────────────────────❥
*⊙⇨Padosi Ke Huqooq:-*

*★_ Chuna'che Padosi Ka Haq hai k unhe Achchhe naam se pukare, Salam me Pahal kare, mile to unhe bithane me Pahal kare, Hadiya bhejne me Pahal kare, Apne Ghar ke Dhu'nwe se, Kooda karkat se use Pareshan na kare, Hattaki Agar phal khareed kar laye to ya To Padosi ko Hadiya de Varna is Tarah chhupa kar khaye k Padosi ke Bachcho ko pata na chale, Esa na ho unka Dil Toote k hume Hamare Walden ne Phal kyu na la kar diye,*

*★_ Farmaya k Tum Apni Diwaar ko itna Buland na karo k Hamsaye ki Dhoop ruke ya uski Hawa ruk jaye, Uske Bete ya Uske Gulam se Guftgu karni ho to Shafqat ki Guftgu karo, Zarurat ke Waqt wo Qarz Maa'nge aur Tum dene ki position me ho to Padosi ko inkaar na karo, Apne Padosi ki Geebat na karo, Uski madad karo, Padosi ki Gair Mojoodgi me Agar kabhi uska Tazkira chhide to tum uski Side lo aur uski Himayat kiya karo, Wo Tumhara Padosi hai,*

*★_ Zindgi me bhi uske liye Dua Maa'ngo aur uski Wafaat ke baad bhi uske liye Dua Maa'ngte raho, Padosi ke Dushman ke Saath tum kabhi Apni Dosti mat karo, Sub'hanallah! Kya Ajeeb baat hai, Farmaya k dekho ! Jo Tumhara Padosi hai ye to Tumhara Qareebi ho gaya, Ab Agar uski kisi ke Saath Dushmani hai to tum uske Saath Dosti ke Talluqaat mat jodo, isse Tumhare Padosi ko Takleef Pahu'nchegi,*

*★_ Padosi ki jaan, maal, izzat Aabru ki Hifazat Tumhare Zimme hai, Zina ka Gunaah hota hai lekin Shari'at ne kaha k Jo Padosi ki Aurat se Zina kare uske Gunaah se Ka'i guna is Bande ko Saza zyada hoti hai, Farmaya k Tum uske Ghar me na Jhaa'nko, Baat karne ka moqa ho to Darwaza Khatkhata kar Ek Taraf ko hat jao Esa na ho k Darwaza khule to Bepardgi ka Ahatmal ho,*

*★_ Padosi ko khof zada na karo, Esa kaam na karo k Jisse Tumhara Padosi Khof Zada rahe, Ka'i Log hote hai'n k ird gird ke Logo'n ko daba kar rakhte hai'n, Shari'at ne kaha k Esa koi kaam na karo k Tumhare Padosi Tumse Khof Zada rahe'n, usse Teen Din se Zyada Naraazgi ki haalat me bhi kalaam band na karo, usse Qata Talluq nahi kar sakte, isliye k Naraaz honge to Saaf Zaahir hai k Geebat karenge,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Azeez Rishtedaro se bhi Zyada Haq Padosi ka hai:-*

*★_ Shari'at ne kaha k Azeez Rishtedaro se bhi zyada Haq Padosi ka hai, isliye k Wo Qareeb hota hai, aur Waqa'i Waqt be waqt Padosi hi kaam aate Hai'n, Dukh Sukh me bhi Wohi Shareek hote hai'n,*

*★_ Jise Padosi Achchha Kahe Allah ki Nazar me wo Achchha hai, Chuna'che Nabi ﷺ ne Ek Ajeeb Baat farmayi, Farmaya k Agar Padosi Tujhe Achchha Kehte hai'n to Allah ki Nazar me bhi Achchha hai aur Agar Padosi Tujhe Bura kehte hai'n To Allah Rabbul izzat ki Nazar me bhi Tu bura hai,*

*★_ Aurte'n Aam tor per Naazuk Zahan hoti hai'n, Baaz dafa Ek baat ka ulta matlab le leti Hai'n, Ulta Asar le leti Hai'n, Yahi'n se Jhagdo ki ibtida hoti hai, Lihaza Jitne Qareeb Ke Padosi hote hai'n utne Ek Doosre ke Saath Jhagde bhi Zyada hote hai'n, Husne Mu'ashrat ye hai k Padosiyo ke Saath Achchha Sulook rakhe Taaki Unki Zubaan se Tareef nikle aur Aap ye Samajh kar rahe'n k Agar Padosi ki Zubaan se Tareef nikal aayi to Yu'n Samjhe'n k Allah Rabbul izzat ke Daftar me Hamari Tareef likh di gayi,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Padosi Ko istemal Ki Cheez se inkaar na Kare'n:-*

*★_ Rozmarrah Ki istemal ki Cheeze Agar Padosi Maa'nge to inkaar na Kare'n, Agar Aap Padosi se koi cheez Maa'nge to use Be Ahatyati se istemal na kare'n, Jhagde Yahi'n se Shuru hote hai'n k Cheez Maa'ngi, istemal Karne me Be Ahatyati kar li, istemal Karne ke Baad bhi padi rahi, Lautana bhool gayi, Ahsaan Farmosh na bane,*

*★_ Padosiyo se Hasad se bache :- Padosiyo Ke Saath Hasad se bhi bache, Uske Bete Ko Naukri mil gayi, Uski Beti ko Achchha Rishta mil gaya, in Cheezo se Hasad aata hai, Agar Allah ne uske Saath Achchha kiya to Aap bhi Khush ho'n k Allah unhe aur Zyada izzate de, Maal Paise par Nazre'n na rakhe'n, Allah Ke Nazdeek izzat Wala Wo hai Jo zyada Muttaqi hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Saheli bhi Padosi Ke Hukm me hai :-*

*★_ Shari'at ne kaha k Saheli bhi Padosi Ke Hukm me hoti hai, Ka'i Aurto'n me Aapas me Pyar Muhabbat ho jati hai, Dono Class Fellows thi, Shaadi ke baad bhi Ek Doosre ke Saath Pyar Muhabbat raha, Ya Kahi'n Mulaqaat hui, Tabiyate Ek Doosre Ki Taraf Mutavajjah hui to Esi Aurte'n Ek Doosre ko Saheli kehti hai'n, Shari'at ne kaha k Saheli ke Huqooq bhi Padosi ke hukm me hai,*

*★_ Magar Yaha'n Ek baat Zara Tavajjo Talab bhi hai k Aurto'n ki Aapas ki Dosti badi Ajeeb hoti hai, Kabhi Ek Doosre ke Saath itni Dosti k Haay Mai'n Qurban aur Kabhi Chhoti si baat par Ek Doosre ki Dushman Number Ek, Kabhi to itni Muhabbat k Ek Jese Kapde Pehan Rahi hai'n k Jese Kapde ye pehnegi Wses kapde Mai'n Banaungi aur Kabhi Chhoti si baat par Ek Doosre se Ver pad jata hai, isko ifraat v Tafeeet kehte hai'n,*

*★_ Lihaza hamari Samajh me to ye aata hai k kisi ko Saheli banana hi nahi chahiye, Agar koi Aurat Saheli banana chahe to Apni Behno ko banaye, Apni Maa'n ko banaye, Kitni Achchhi Saheli ! Jo har Waqt Aapke Ghar me Mojood hogi, Har Waqt Aapke Saath hogi, Ghar ki Chaar diwari se bahar kisi se kya Dil lagana, Pareshani hoti hai, To Asaan Tareeqa ye hai k Apni Behno ko Apni Saheli banao ya Apni Walda ko Apni Saheli banao,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Bachcho Ke Jhagde me Hissedaar na bane :-*

*★_Hamsaya se Jhagde ka Ek bada Sabab Aam Tor par Bachche ban jate hai'n aur Unka Jhagda fir Bado me aa jata hai, ( is par Alhamdulillah Ek Mustaqil Post pehle ho chuki hai) aur Ab Aap Samajh gaye ho'nge k Bachcho ki Ladayi me Bado ko Hissedaar nahi Banna chahiye,*

*★_ Ye bhi Zahan me rakhe'n k Hamara Apna Amal Doosre ke Radde Amal ko mutayyan karta hai, Hum Muhabbat Ka Haath badhayenge to Doosra bhi Muhabbat Ka Haath badhayega, Hum Agar Kheenche Rahenge to Doosra bhi Kheencha rahega, Jo Hum Karenge uska Radde Amal Aage se Zaahir hoga, To hume chahiye k Hum Padosiyo ke Saath Muhabbat ka Talluq rakhe'n Kyunki Allah Rabbul izzat ne hume iska Hukm diya,*

*★_ Suniye aur Dil ke Kaano se Suniye! Chu'nki Allah Rabbul izzat ke Pyare Habeeb Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - Jo Allah par imaan rakhta hai aur Yaume Aakhirat par imaan rakhta hai, use Chahiye k Apne Padosi ki izzat kare_,*

*★_ Ab Sochiye k itne Waaze Lafzon me Ek Baat kahi gayi k Agar Tum Allah par imaan rakhte ho aur Allah ki Mulaqaat par imaan rakhte ho to Tumhe chahiye k Apne Padosi ke Saath izzat ka Mu'amla karo,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Padosi se Husne Sulook Ki Taleem:-*

*★_ Ek Banda Qayamat Ke Roz Allah Rabbul izzat Ke Huzoor Pesh hoga, Allah Rabbul izzat farmayenge, Mere Bande Mai'n Bhooka tha Tune Mujhe Khana hi na khilaya, Mai'n Pyasa Tha Tune Mujhe Pani hi na Pilaya, Mai'n Bimaar tha Tune Meri Tabiyat hi na Puchhi, Wo Banda bada Hairaan hoga, Kahega, Ey Rabbe Kareem ! Aap in Cheezo se Munzah aur Mubrra hai'n, Aapko Bhook Pyaas aur Bimaari ka Kya Ma'ani?*

*★_ Fir Allah Ta'ala farmayenge k Dekho k Fala'n moqe par Tumhara Padosi Bhooka tha, Agar Tumne use khana Khilaya hota to Ese hi hota k goya Tumne mujhe Khana khilaya, Tum use Pani pilate Ese hi hota jese Tumne Mujhe Pani Pilaya aur Agar Tum uski Tabiyat Pursi, iyadat karte Ese hi Hota Jese Tumne Meri iyadat Ki,*

*★_ Ab zara Sochiye k Allah Rabbul izzat Agar Yu'n farmayenge k Padosi ki iyadat karna aur kin Alfaaz me Padosi ke Husne Sulook ki Taleem di jaye, Mujhe to lagta hai k iske baad Alfaaz hi khatm ho jate hai'n, Allahu Akbar Kabeera!*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Saat Gharo Ka Chakkar:-*

*★_ Hamare Akaabir Padosi Ke Saath itna Achchha Sulook Karte they k Daure Sahaba ki Baat hai k Ek Ghar me Bakri ka Gosht banaya gaya, Unhone Socha k is Bakri ki Jo Siree hai Wo Hum Hamsaye ke Ghar bhej dete hai'n, Wo Paka kar kha le'nge, Unhone Wo Siree Hamsaye ke Ghar me bhej di, Hamsaye ki Aurat ne Socha k Hamare Ghar me To Sabzi hai Hum paka hi le'nge, Pata nahi Hamare Fala'n Padosi Ke Ghar me kuchh hai ya Nahi Ye Siree unke Ghar me bhej deti hu'n, Usne Wo Siree unke Ghar me bhej di,*

*★_ Jab Teesri Padosi ke Ghar me Pahu'nchi to usne Socha k mere Ghar me to Daal hai, Paka hi lungi Chalo Mai'n Ye Apni Fala'n Padosan ke Ghar me bhej deti hu'n, Usne Aage Chothe Ghar me bhej di, Chothi ne bhi yahi Socha, Pehle se Saalan Mojood hai Fala'n ke Ghar bhej deti hu'n, Usne Aage Paa'nchve Ghar me bhej di, Paa'nchvi ne bhi yahi Socha k Mai'n Apni Fala'n Padosan ke Ghar bhej deti hu'n, Usne bhi Aage bhej di, is Tarah Wo Siree Laut kar us Ghar me aayi Jaha'n se Wo Chali thi,*

*★_ Chhe (6) Gharo me se Ho kar Wo Bil Aakhir usi Ghar me Waapas aati hai, itna Ek Doosre ke Saath Muhabbat Pyar ka Talluq hota tha,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurat, Ghode aur Ghar me Barkat :-*

*★_ Nabi ﷺ ne farmaya k Aurat, Ghode aur Ghar Ke Andar Ek Barkat hoti hai, Sahabi ne arz kiya k Ey Allah ke Pyare Habeeb ﷺ ! Wo kya Barkat hai ? Farmaya k Aurat ki Barkat to ye hai k Uska Mahar Kam ho, Shaadi Karna Usse Asaan ho, Uske Andar Neki Deendaari ho, Ye Aurat ke Andar Barkat hoti hai,*

*★_ Ghode ke Andar Barkat ye hai k Wo Sawaar Ko Asaani se Sawaari karne de, Use laat vagera na maare,*
*"_ Aur Ghar ki Barkat ye hai k Ghar Khula ho aur Ghar ke Padosi Nek aur Achchhe ho'n, Ye Ghar ke andar Barkat hoti hai,*

*★_ Lihaza Hamare Akaabir jab Ghar Khareedne ya Banane lagte they to Pados ko pehle dekha karte they, Pehle Pados baad me Ghar, isliye Aksar Ahbaab Masjid Ke Qareeb Ghar banate they k Allah Rabbul izzat se Behtar Padosi aur Kon ho Sakta hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Pados Ki Qeemat:-*

*★_ Abdullah ibne Mubarak Reh. Ek Buzurg they, Unke Pados me Ek Yahoodi rehta tha, Yahoodi ne Kahi'n aur Jana tha, Socha k Mai'n Apna Makaan bech deta hu'n, Ek Musalman uska Makaan Khareedne ke liye Pahu'ncha, Usne kaha k Ji Makaan ki kya Qeemat Maa'ngte hai'n? Usne kaha k Do Hazaar Deenar, Wo Khareedaar bada Hairaan hua k itni zyada Qeemat, Kehne laga k is ilaaqe me Makaan Ek Hazaar Deenar me Araam se mil jate hai'n ? Yahoodi ne jawab diya k Ek Hazaar Deenar to Makaan ki Qeemat hai aur Doosra Hazaar Deenar Abdullah ibne Mubarak ke Pados ki Qeemat hai,*

*★_ Soche'n k Ek Waqt Esa tha k Hum kitne Achchhe Husne Sulook se Zindgi guzarte they k Hamare Padosi ke Makaano ki Qeemate badh Jaya karti thi, Kaash ! Allah Rabbul izzat hume Esa hi Padosi bana de,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Padosi Ko izaa Pahu'nchane Ka Azaab :-*

*★_ Aur Agar Hum Padosi Ko izaa dete hai'n, Takleef dete hai'n, Uske Huqooq poore nahi Karte to Ye bhi Zehan me rakhiye k Allah ki Taraf se Us par Azaab bhi hai, Chuna'che Shari'at ne kaha k Jo Shakhs Padosi ka Dil dukhata hoga Allah Ta'ala usko Qayamat Ke Din Jahannam me dalenge aur usko Khaarish Ki Bimaari me mubtila kar denge aur Wo Khaarish ki Bimaari Esi Hogi k Ye Apne Nakhoono se Apne Gosht ko Khujana Shuru karega, itna Khujayega k Gosht kat kar usme se Haddiya'n Nazar aane Lag jayengi,*
.
*★_ itna Khujayega itni Khaarish hogi, Fir Jism theek kar diya jayega fir Khaarish mehsoos hogi aur ye Apne Jism ko fir Khujayega Hattaki Gosht kat kar fir Haddiya'n Nazar aane Lag jayengi, Farishte puchhenge - isko Ye Azaab kyu Mila ? Bataya jayega k Ye Padosi ka Dil dukhata rehta tha, iske badle Allah Rabbul izzat ne isko Jahannam me ye Azaab diya,*

*★_ Chuna'che Nabi ﷺ ke Saamne Tazkira hua k Ey Allah ke Pyare Habeeb ﷺ ! Ek Aurat hai Namaze bhi Padhti hai, Roza bhi rakhti hai, Nek pardadaar bhi hai Magar Zubaan ki Tez hai, Padosi Ke Saath uski Talkh Kalami hoti hai, Padosi Khush nahi hai'n, Padosiyo Ka Dil dukhati hai, Nabi ﷺ ne farmaya k Jo Aurat Padosiyo ka Dil dukhati hai Apne Roze Namazo Ke Bavjood Qayamat Ke Din Allah Rabbul izzat usko Jahannam ke andar dalenge,*

*★_ itni Wazahat se Nabi ﷺ ne ye Baat bata di k Agar Padosi Ka Dil dukhaya to Apni Neki aur Namazo ke Bavjood Jahannam me jayenge,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Allah Rabbul izzat Ko Suleh Pasand hai :-*

*★_ Ka'i dafa Maa'n Baap Behan Bhaiyo'n ke Ghar Qareeb hi Chaar Diwari ke andar bana dete hai'n, Ab ye Bhai Behan bhi hue aur Padosi bhi hue, aur dekha ye gaya hai k Sabse Zyada Jhagde bhi Yahi'n hote hai'n, To Tasavvur Kijiye k Bhai bhi hai, imaan wala bhi hai, Padosi bhi hai Lekin fir uske Saath Andar ki Ladaiya'n hai'n, Rakabate aur Adawate hai'n, To Qayamat Ke Din Jahannam ki Aag se hume bachna kaise Naseeb hoga ?*

*★_ Aaj Dil me ye faisla kar Lijiye k Humne Padosiyo ke Huqooq me Aaj Tak to Kotaahi ki hum usse Tauba karte hai'n, Hum un Padosiyo'n se bhi Achchhe Alfaaz me Mu'afi Maa'ng le'nge aur Aa'inda Husne Sulook, Muhabbat Pyar rehne ki koshish karenge, Allah Rabbul izzat ko Sulah bahut pasand hai, Chuna'che Hadees Paak me ek Ajeeb Mazmoon bataya gaya k Qayamat ke Din Sabse Pehle Jo Do Aadmi Allah Rabbul izzat ke Saamne Muqadma pesh karenge Wo Padosi ho'nge,*

*★_ Qayamat Ke Din jo Do Bande Allah ke Saamne Huququl ibaad me Apna Muqadma pesh karenge Wo Padosi ho'nge, Unme ek kahega k isne Mera Dil dukhaya, Mujhe pareshan kiya, Bada Nek Namazi tha, Mujhe Satata tha, Allah mujhe Ab iska badla dilwaiye, Allah Rabbul izzat farmayenge k Achchha Tum iski Nekiya'n le lo, Ab Jab Nekiya'n lene lagega to ye Banda uski Zindgi ki saari Nekiya'n le lega, Poori Nekiya'n lene ke baad fir bhi Mutma'in nahi hoga,*

*★_ Kahega ! Allah ! Uske Paas Nekiya'n thodi hai, mujhe to isne zyada sataya hai, mujhe zyada Nekiya'n chahiye, Allah Ta'ala farmayenge Achchha Tamaam Apne Gunaah iske Sar par daal do, Chuna'che ye Padosi Apne Saare Ke Saare Gunaah uske Sar par daal dega aur Fir kahega: Ey Allah! Saare Gunaah uske Sar daalne ke Bavjood jo isne Mera Dil dukhaya tha, mera Dil bhi khush to nahi hua, Allah Ta'ala farmayenge: Achchha Tum zara Fala'n taraf dekho, Wo Shakhs us Taraf dekhega to use Jannat ke Makaan Nazar aayenge, is qadar Khoobsurat, itne pyare ! in Muqamaat ki Taraf dekh kar us Bande ke Dil me ye Tamanna hogi k Mai'n in Makano me chala jau'n aur Waha'n ja kar rahu'n, Allah Ta'ala farmayenge: Ey mere Bande ! Kya Tu in Makano me Jana chahta hai ? Wo kahega Ya Allah ! Mai'n Jana chahta hu'n, Allah Ta'ala farmayenge: Achchha Agar Tum Apne is Bhai ko Mu'aaf kar do to Mai'n Tumhe in Makano me jagah de dunga,*

*★_ Chuna'che Ye Padosi Jiska Dil dukha tha Wo kahega k Allah ! Maine isko Mu'aaf kar diya Tu mujhe Jannat me Ghar Ata kar de, Allah farmayenge Achchha jab Tumne isko Mu'aaf kar diya to Tum Akele Jannat me na jao, Apne Padosi Bhai ko Apne Saath me le kar chale jao, Mujhe Suleh Pasand hai,*

*★_ To Allah Ta'ala ko to Qayamat ke Din bhi Do Padosiyo'n me Suleh hi pasand hai, isliye hume Chahiye k hum Aaj Padosiyo'n ke Saath Suleh Safaa'i se rehne wale ban Jaye'n Taaki Allah Ta'ala humse Raazi ho jaye, Allah Rabbul izzat hume Suleh aur Pakizgi ki Zindgi Guzaarne ki Tofeeq ata farmaye, Aameen Summa Aameen,*

*★_ Alhamdulillah Post Mukammal hui _,*

 *®_ Hazrat Maulana Peer Zulfiqar Naqshbandi Da.Ba._,*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻 WhatsApp Channel Follow Kijiye _,*
╥────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*    
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,* 
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments