Pyare Nabi Ki Pyari Sunnate'n-Roman

     *✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮*
●═════════════════════●
*❈℘γαяε Иαв’i’ Ki ℘γαяi Sบททαтε❈*
●═════════════════════●
*█ 
●════════●
*☞_ So Kar Uthne Kï Sunnate’n,*

*❉ 1- Neend se Uthte hi Dono Haatho se Chehra aur Aa'nkho ko Malna Taki Neend ka Khumaar door ho jaye,*
*➧ 2- Subeh Jab Aa'nkh Khule to ye Dua Padhe:-*
*”Alhamdu lillahillazi Ahyaana Ba’da ma Amaatana Wa ilayhin nushoor ,”*
*(Tarjuma) Sab Tareefe Allah Ta'ala Ke Liye hai'n Jisne Hume Maarne Ke baad Zinda kiya aur usi Ki Taraf uth Kar jana hai,*
*❉ 3- Jab So kar Uthe to Miswaak kar le’n,*
*➧ Wazu me dobara Miswaak Kï jaye ,So kar uth kar Miswaak karna Alhida Sunnat hai,*

*❉ 4- Pajama ya Shalwaar pehne to Dahine Paa'nv me fir Baaye Paa'nv me, Kurat ya Kameez pehne to pehle Daayi Aasteen me haath daale fir Baayi me,*
*➧ isi Tarah joota Pehne to Pehle Daaye Paa'nv me Pehne fir Baaye me aur Jab utaare To Pehle Baaye Taraf ka utaare fir Baayi Taraf ka,*
*➧ Aur Badan Kï pehni hui har Cheez ke (Pehanne aur) utaarne ka yahi tareeqa Masnoon hai,*
*❉ 5- Bartan me Haath Daalne se Pehle Teen Martaba haatho ko Achchhi tarah dho le’n,*
●════════●
*☞_ Betul Khala Aane Jane Kï Sunnate’n,*

*❉ 1- istanje ke liye Pani aur Dhele Dono le jaye, Teen Dhele ya Patthar ho to mustahab hai, Baaz Ulma Kiraam ne Toilet paper istemal karne ka mashwara diya hai taki flush kharab na ho,*
*➧ 2- Huzoor ﷺ Sar dhaa'nk kar aur Joota pehan kar Betul Khala Tashreef le jate the,*
*❉ 3 – Betul Khala me Dakhil hone Se pehle ye Dua Padhe,*
*➧ ” Bismillahi Allahumma inni A’uzubika Minal Khubusi Wal Khaba’is,” (Bukhari, Muslim, Tirmizi, ibne Maaja)*
*(Tarjuma) Ey Allah Mai'n Teri Panaah chahta hu'n Khabees Jinno Se Mard ho'n ya Aurat,*
*❉ 4- Betul Khala me Dakhil hote waqt Baaya Qadam rakhe,*
*➧ 5- Jab Badan Nanga ho to Asaani Ke Saath Jitna nicha ho kar Khol sake utna hi behtar hai,*

*➧ 6- Betul Khala se nikalte waqt Dahina Pair Bahar nikaale aur Bahar aa kar ye Dua padhe,*
*➧ ”Gufranaka Alhamdulillahillazi Azhaba annil azaa Wa Aafaani ,”*
*(Tarjuma) Ey Allah Mai'n Tujhse Magfirat ka Sawal karta hu'n, Sab Tareefe Allah hi ke liye hai'n Jisne mujhse iza dene Wali Cheez Door ki aur Mujhe Aafiyat ata farmayi,*
*❉ 7- Betul Khala Jane Se Pehle Anguthi ya Kisi Cheez per Quran Sharif Kï Aayat ya Huzoor ﷺ ka Mubarak Naam likha ho aur Wo dikhayi deta ho to usko utaar kar baahar hi chhor de'n, Taveez jisko momjama kiya gaya ho ya Kapde me See Liya ho usko Pehan kar Jana jaa’iz hai,*
*❉ 8- Rafa Haajat ke Waqt Qibla Kï Taraf na Chehra kare aur na Us Taraf Peeth kare,*
*➧ 9- Rafa Haajat karte Waqt bila zarurate Shadeed Kalaam na kare, Isi Tarah Allah Ta’ala ka Zikr bhi na kare,*
*❉ 10- Peshab Pakhane ke Chheento se Bahut bache Kyuki aksar Azabe Qabro peshab ke Chheento se na bachne se hota hai,*

*➧ 11- Peshab karte waqt ya istanja karte waqt uzv khaas ko daaya haath na lagaye balki baaya haath lagaye,*
*❉ 12- Baaz Jagah Betul Khala nahi hota us Waqt esi Aad Kï jagah me Rafa Haajat karna chahiye jaha kisi doosre Aadmi Kï nigaah na pade,*
*➧ 13- Peshab karne ke liye Naram Jagah Talash kare taki Chheente na ude aur zameen Jazb karti jaye,*
*❉ 14- Beth kar Peshab kare Khade ho kar Peshab na kare ,*
*➧ 15- Peshab karne ke baad istanja sukhana ho to diwaar vagera Kï aad me sukhana chahiye,*
●════════●
*☞_ Masjid Me Dakhil hone aur Bahar nikalne Kï Sunnate,*

*☞_ Masjid me Dakhil Hone Kï Sunnate:-*
*❉ 1- Daahina Pair Masjid me Dakhil karna,*
*➧ 2- Bismillah Padhna,*
*❉ 3- Darood Sharif Padhna,*
*➧ Maslan- ”Assalatu Wassalamu Alaa Rasulillah ,”*
*❉ 4- Dua Padhna,*
*➧ Maslan- ”Allahum Mafta’ali Abwaaba Rahmatika ,”*
*(Tarjuma)- Ey Allah mere Liye Apni Rehmat Ke Darwaze khol de _,*
*❉ 5- Aitkaaf Kï niyat karna,*

*█ Wazu Sunnat ke Mutabiq Ghar per Karna Chahiye aur Sunnate Ghar per Padh kar Jana chahiye, Moqa na ho to Masjid me Padhna,*

*☞ Masjid Se Bahar Nikalne Kï Sunnate:-*
*❉ 1- Baaya pair Masjid Se Bahar nikaalna,*
*➧ 2- Bismillah Padhna,*
*❉ 3- Darood Sharif Padhna,*
*➧ Maslan- ”Assalatu Wassalamu Alaa Rasulillah ,”*
*❉ 4- Dua Padhna,*
*➧ Maslan- ”Allahumma inni As’aluka min Fazlika ,”* 
●════════●
*☞_  Wazu Kï Sunnate ,*

*█ Wazu me 18 Sunnate hai'n, inko Ada Karne se Kaamil Tareeqe se Wazu ho Jayega _,*
*❉ 1- Wazu Kï Niyat karna, Maslan Ye k Mai'n Namaz ke mubah hone ke liye Wazu karta hu’n,*
*➧ 2 – “Bismillahir Rahmaanir Raheem" Padh kar Wazu karna,*
*"_ Baaz Rivayaat me Wazu Ki Bismillah is Tarah aati hai :- "Bismillahil Azeemi Walhamdulillahi Ala Deenil islam,"*
*"_ Aur Baaz Rivayaat me is Tarah bhi hai -"Bismillahi Walhamdulillahi _,*
*"_ Aur Wazu Ke Dauran Ye Dua Padhna Masnoon hai:-*
*"“Allahummagh fir li Zambi wa wassi’ li fi Daari wa Baarik li fi Rizqi“*
*❉ 3 – Dono Haatho'n ko Pahu'ncho Tak Dhona,*
*➧ 4– Miswaak Karna Agar Miswaak na ho to Ungli se Daa'nto ko malna,*
*➧ Har Wazu Karte Waqt Miswaak Karna Sunnat hai, Miswaak Pakadne ka Masnoon Tareeqa Jo Hazrat Abdullah ibne Mas'oud Raziyallahu Anhu Se Marvi hai k Daahine Haath Kï Chhungliya Miswaak ke Niche Rakhe'n aur Angutha Miswaak ke oupri sire ke Niche Rakhe'n aur Baqi Ungliya Miswaak ke ouper Rakhe'n,*

*❉ 5– Teen baar Kulli karna,*
*➧ 6– Teen baar Naak me paani daalna aur Teen baar Naak Chhinakna,*
*❉ 7 – Kullli aur Naak me Paani Chadhane me mubalga karna agar Roza na ho,*
*➧ 8 – Har Uzv  ko Teen baar dhona,*
*❉ 9 – Chehra Dhote Waqt Daadhi ka Khilaal karna,*
*"_ Masnoon Tareeqa Ye hai K Teen Baar Chehra dhone Ke Baad Hatheli me Paani le kar Thodi Ke Paas Taalu me daale aur Daadhi ka khilaal kare aur Kahe- "Ha Kaza Amarani Rabbi _,"*

*➧ 10 – Haatho'n aur Pairo'n Ko Dhote Waqt Ungliyo ka Khilaal karna,*
*❉ 11- Ek baar Tamaam Sar ka Masah karna,*
*➧ 12 – Sar ke Masah ke saath Kaano ka Masah karna,*
*❉ 13– A’aza e Wazu ko mal mal kar dhona,*
*➧14 – Pe dar Pe Wazu karna,*
*❉ 15 –Tarteeb vaar Wazu karna,*
*➧ 16 – Daahini Taraf se Pehle dhona ,*
*❉ 17- Sar ke Agle Hisse se Masah shuru karna,*
*➧ 18- Gardan ka Masah karna, halaq ka Masah na kare ye Bid’at hai,*
*❉ 19– Wazu ke Baad Kalma Shahadat Padh kar ye Dua padhe:-*
*➧ ”Allahummaj Alni minat Tawwabeena Waj Alni minal mutahireena ,”*
*(Tarjuma) :- Ey Allah ! Tu mujhe Bahut Tauba Karne Walo me aur Khoob Paaki Haasil karne Walo me Shamil farma _,*
●════════●
*☞_ Fara'iz E Wazu _,*

*❉_ Wazu me Baaz Cheeze Farz hai'n K Agar inme Se Ek bhi Chhoot jaye ya Kuchh Kami reh jaye to Wazu Nahi Hota aur Aadmi Be Wazu rehta hai,*

*❉_ Wazu me Sirf Chaar Cheeze Farz hai'n:-*
*1_ Ek Martaba Saara Moo'nh Dhona _,*
*2_ Ek Ek Baar Kohniyo'n Samet Dono Haath Dhona,*
*3_ Ek Baar Chothayi Sar Ka Masah Karna,*
*4_ Ek Ek Martaba Takhno Samet Dono Paa'nv Dhona,*

*❉_ Itna Karne Se Wazu Ho Jayega Lekin Sunnat Ke Mutabiq Wazu Karne Se Wazu Kaamil Hota hai aur Zyada Sawab milta hai,* 
●════════●
*☞_ Gusl Karne Ka Masnoon Tareeqa,*
*❉ Pehle Dono haath gatto tak dhona, Fir istanje Kï jagah dhona Chahe Najasat lagi ho ya na lagi ho Har Haal me Haath aur istanje ko dhona Chahiye, (Aur istanje Kï jagah dhone se matlab ye hai k Chhota aur Bada dono istanje ki jagah dhona )*
*❉ _Fir Badan per kisi jagah Napaaki lagi ho to usko Paak karna,*
*➧ Fir Masnoon Tareeqe per Wazu karna,*

*❉_ Wazu ke baad Teen martaba Sar per paani daale, ( itna paani daale k Sar se Paa'nv Tak Saare Badan per beh jaye ) aur Badan ko Haatho'n se malna taki Badan ka koi Hissa khushk na rehne paye, Agar Baal barabar bhi Khushk reh gaya to Gusl na hoga,*
*➧ Fir Waha'n se hat kar Paak jagah per aa kar Paa'nv dhona lekin agar Wazu ke waqt pair dho liye ho to Ab dhone Kï zarurat nahi,*

*❉_ Gusl ke baad Badan ko Kapde se Pochhna bhi saabit hai aur na pochhna bhi, Lihaza Dono me se Jo soorat bhi Akhtyar Kï jaye Sunnat hone Kï Niyat kar liya Kijiye,*

*☞ Fara'iz E Gusl _,*
*❉_ Gusl me Baaz Cheeze Farz hai'n k unke bager Gusl Durust Nahi hota aur Aadmi Napaak rehta hai, Lihaza Gusl Ke Fara'iz ka ilm hona Zaroori hai, Gusl me Sirf Teen Cheeze Farz hai'n:-*
*1_ Kulli karna, is Tarah k Saare moo'nh me Paani Pahu'nch jaye,*
*2_ Naak me Paani daalna ( Jaha'n Tak Naak Naram hai )*
*3_ Saare Badan Par Paani Pahu'nchana,*
●════════●
*☞_ Azaan v Aqamat Kï Sunnate’n,*
*❉ 1- Azaan v Aqamat Qibla ru kehna Sunnat hai,*
*➧ 2- Azaan ke Alfaaz thehar thehar kar ada karna aur Aqamat ke Alfaaz jaldi jaldi ada karna Sunnat hai,*
*❉ 3- Azaan me ”Hayya Alassalaah ,Hayya Alal falaah ,” kehte waqt Mo’azzin ko Daaye aur Baaye moo'nh ferna Sunnat hai Lekin Seena aur Qadam Qibla rukh hi rahe,*
*➧ 4- Jab Mo’azzin se Azaan ke kalmaat Sune to jis tarah Wo kahe usi tarah kehte jaye aur "Hayya Alassalaah" v "Hayya Alal falaah” ke jawab me ”La havla wala Quwwata illaa billaahi,” kahe,*
*❉ 5- Fajar Kï Azaan me ”Assalatu Khairum minan naum” ke jawab me ”Sadaqta wa Bararta” kaha jaye,*

*➧ 6- Aqamat ka jawab bhi Azaan Kï Tarah diya jaye lekin ”Qad Qaamatis Salaatu” ke jawab me ” Aqaa mahallaahu wa adaa mahaa ,” Kaha jaye,*
*❉ 7- Azaan ka jawab dene ke baad Darood Sharif Padhna Sunnat hai,*
*➧ Darood Sharif Padh kar ye Dua padhe Jo Bukhari Sharif me manqool hai -*
*”Allahumma Rabba Haazihid Da’awatit Taammati wassalatil qaa’imati Aati Muhammada nil Waeelata wal fazeelata wab ashu maqaamam mahmooda nillazi wa attahu innaka laa tukhliful mee’aad ,”*
*➧” innaka laa tukhliful mee’aad ,” Bukhari Sharif me nahi hai, isko imaam Bayhqi ne Sunan kabeer me naqal kiya hai,*
*➧ ”Wad darajatar rafee’ata ” ka lafz aur ,” Ya Arhamar raahimeena,” vagera alfaaz Jo mashoor hai’n, inka saboot rivayaat me nahi hai,*
●════════●
*☞_ Namaz Kï Sunnate’n, (1)-Qiyaam Kï Sunnate,*
*❉ 1- Takbeer e Tehrima ke waqt Seedha Khada hona yani Sar ko past (Jhuka kar) na rakhna,*
*➧ 2- Dono Pairo ke Darmiyan 4 Ungal ka faasla rakhna aur Pairo Kï ungliya’n Qibla Kï Taraf rakhna,*
*➧ Baaz Fuqha Kiraam ne 4 Ungal ke faasle ko Mustahab kaha he,*
*❉ 3- Muqtadi Kï Takbeer e Tehrima imaam Kï Takbeer e Tehrima ke saath hona ,( Muqtadi Kï Takbeere e Tehrima imaam Kï Takbeer e Tehrima Se Pehle Khatm ho gayi to iqtida Sahi nahi hogi ,)*
*➧ 4- Takbeer e Tehrima ke waqt dono haath Kaano Tak uthana,*
*❉ 5- Hatheliyo ko Qibla Kï taraf rakhna ( Takbeer ke waqt ),*

*➧ 6- Ungliyo ko Apni haalat per rakhna, Yani na Zyada khuli ho aur na Zyada Band ho,(Takbeer ke waqt)*
*❉ 7- Daahine Haath Kï hatheli Baaye haath Kï hatheli Kï pusht per rakhna,*
*➧ 8- Chhungliya aur Anguthe se halqa bana kar gatte ko pakadna,*
*❉ 9- Darmiyani 3 Ungliyo ko Kalayi Per rakhna,*
*➧10- Naaf ke Niche Haath Baandhna,*
*❉ 11- Sana Padhna,*
●════════●
*☞_ Namaz Kï Sunnate’n, 2- Qiraat Kï Sunnate,*
█ 
*❉ 1- Ta’awwuz yani ” A’uzu billahi …..” Padhna,*
*➧ 2- Tasmiya yani ” Bismillahi……” Padhna,*
*❉ 3- Chupke se Aameen kehna ,*

*➧ 4- Fajar aur Zuhar me ” Tawale mufassal ” yani Surah Hujraat se Surah Burooj tak, Asr v ishaa me” Avsaate mufassal ” yani Surah Burooj se Surah Lam yakun tak,*
*➧ Aur Magrib me” Qasare Mufassal ” yani Surah Lam Yakun se Surah Naas tak Kï Soorto me se koi Soorat Padhna,*

*❉ 5- Fajar Kï pehli Raka’at taveel ( Lambi ) karna,*
*➧ 6- Sana, Ta’awwuz, Tasmiya aur Aameen ko aahista kehna,*
*❉ 7- Farz Kï Teesri aur Chothi Raka’at me Sirf Surah Fatiha ka Padhna,*
●════════●
*☞_ Ruku Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ 1- Ruku Kï Takbeer kehna,*
*➧ 2- Ruku me Dono Haatho se Ghutno ko pakadna,*
*❉ 3- Ghutno ko pakadne me Ungliyo ko Kushada rakhna,*
*➧ 4- Peeth ko bichha dena,*

*❉ 5- Pindliyo ko Sidha Rakhna,*
*➧ 6- Sar aur Sureen ko Barabar rakhna,*
*❉ 7- Ruku me Teen baar ”Sub'hana Rabbiyal Azeemi ,” Padhna,*
*➧ 8- Ruku se uthne me imaam ko ”Sami Allaahu liman Hamidah ” Ba- Awaaz Buland kehna aur Muqtadi ko , "Rabbana Lakal Hamdu” aur Munfarid ( Tanha namaz Padhne wale ) ko Dono kehna ( Aahista se ) aur Ruku ke baad itminaan se Sidha khada hona,*
●════════●
*☞ Sajde Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ 1- Sajde me jaate waqt Takbeer kehna,*
*➧ 2- Sajde me Pehle Dono Ghutno ko rakhna,*
*❉ 3- Fir Dono Haatho'n ko rakhna,*
*➧ 4- Fir Naak rakhna,*
*❉ 5- Fir Peshani rakhna,*
*➧ 6- Sajde me Sar Dono Haatho'n ke Darmiyan rakhna,*

*❉ 7- Sajde me Pet ko Raano se Alag rakhna aur Pehluo’n ko Baazuo’n Se Alag rakhna,*
*➧ 8- Kohniyo’n ko Zameen se Alag rakhna,*
*❉ 9- Sajde me Teen baar ” Sub'haana Rabbiyal A’alaa ,” Padhna ,*
*➧ 10- Sajde Se uthne Kï Takbeer kehna,*
*❉ 11- Sajde me uthne me pehle Peshani ,fir Naak ,Fir Haatho'n ko fir Ghutno ko uthana ,*
*➧ 12- Dono Sajdo ke Darmiyan itminan se bethna ,*
●════════●
*☞_  Qa’ade Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ 1- Daaye pair ko khada rakhna aur Baaye pair ko bichha kar us per bethna ,*
*➧ 2- Dono Haatho'n Ko Raano per rakhna,*
*❉ 3- Tashahud me ”Ash'hadu Allaa ilaaha ,” Per Shahadat Kï ungli ko uthana aur ”illallaah” per jhuka dena ,*
*➧ 4- Qa’ada Akhirah me Darood Sharif Padhna,*
*❉ 5- Darood Sharif ke baad Dua e Masoora un alfaaz me Jo Quran v Hadees ke mushaba ho Padhna ,*
*➧ 6- Dono taraf ( Daaye Baaye ) Salam ferna ,*
*❉ 7- Salam Kï ibtida Daahini taraf se karna,*

*➧ 8- imaam ko muqtadiyo, Farishto aur Saaleh jinnaat Kï niyat karna,*
*❉ 9- Muqtadiyo ko imaam, Farishto aur Saleh Jinnaat aur Daaye Baaye muqtadiyo Kï niyat karna,*
*➧ 10- Munfarid (Tanha Namaz padhne wale) ko Sirf Farishto Kï Niyat karna,*
*❉ 11- Muqtadi ko imaam ke saath saath Salam ferna,*
*➧ 12- Doosre Salam Kï Awaaz ko pehle Salam Kï Awaaz se past (halki) karna,*
*❉ 13- Masbooq ko imaam ke Faarig hone ka Intezar karna,*

*📚Tahtavi, Pyare Nabi Kï Pyari Sunaate’n 
●════════●
*☞_ Juma Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ 1- Gusl karna ,*
*➧ 2 – Achche Aur Saaf Kapde Pehanna ,*
*❉ 3 – Masjid me Jaldi Jane Kï fikr karna ,*
*➧ 4 – Masjid Paidal Jana ,*
*❉ 5 – imaam ke qareeb bethne Kï koshish karna ,*
*➧ 6 – Agar Safe pur ho To Logo'n Kï Gardane faa'nd kar Aage na badhna,*

*❉ 7 – Koi fizool kaam na karna Yani maslan Apne kapdo se ya Baalo se lahu v lahab ( khel ) na karna ,*
*➧ 8 – Khutba ko gor se Sunna ,*
*❉ 9 – Juma ke Din Jo Surah Kahaf padhega uske liye Arsh ke niche se Asmaan ke barabar buland ek Noor zaahir hoga Jo Qayamat ke andhere me uske kaam aayega aur is Juma se Pehle Juma tak ke tamaam Gunaah ( Sagira ) uske maaf ho jayenge,*
*➧ 10 – Nabi Kareem ﷺ ka irshad he k Juma ke Din mujh per Kasrat se Darood bheja karo k Darood mere huzoor pesh kiya jata hai,*
*❉ 11 – Juma ke Din Baalo me Tel Lagana aur Khushbu ya itr ka istemal karna Masnoon hai,*
●════════●
*☞_ Khane Kï Sunnate’n,*
*❉ 1 – Dastarkhwan bichhana,*
*➧ 2- Dono Haatho'n Ko Gatto Tak Dhona,*
*❉ 3-” Bismillah ” Padhna Buland Awaaz Se,*
*➧ 4 – Daahine Haath se khana,*
*❉ 5 – Khane Kï Majlis me Jo Shakhs Sabse Zyada Buzurg aur Bada ho Usse khana Shuru karana,*
*➧ 6 – Khana Ek Qism ka ho to Apne Saamne se khana,*
*❉ 7 – Tek lagakar na khana,*
*➧ 8 – Khane me koi aib na nikaalna,*

*❉ 9 – Agar koi Luqma gir jaye to utha kar Saaf karke kha Lena,*
*➧ 10 – Joota utaar kar khana khana,*
*❉ 11 – Khane ke waqt ukdu bethna k Dono Ghutne khade ho aur Sureen Zameen per ho , ya Ek Ghutna khada ho aur doosre Ghutne ko bichha kar us per bethe, Ya Dono Ghutne Zameen per bichha kar Qayde Kï Tarah Bethe aur Aage Kï Taraf Zara jhuk kar Bethe,*
*➧ 12- Khane ke Bartan, Pyala v Plate ko Saaf kar Lena ,Fir Bartan Uske liye Dua e Magfirat karta hai,*
*❉ 13 – Khane ke Baad ungliyo’n ko Chaatna,*
*➧ 14 – Khane ke Baad Dua Padhna,*
*➧ ” Alhamdu lillahillazi At’amana wa Saqaana wa Ja’alana Muslimeen ,”*
*❉ 15– Pehle Dastarkhwan uthana fir khud uthna,*
*➧ 16 – Dono Haath dhona,*

*❉ 17 – Kulli karna ,*
*➧ 18 – Agar Shuru me “_Bismillah ” Padhna bhool jaye to yu’n padhe- ”Bismillahi Avvalahu wa Aakhirahu ,”*
*❉ 19 – Jab kisi Kï Dawat Khaye to Maizban ko ye Dua de :-*
*➧ _ ” Allahumma At’im Man at’amani wasqi man Saqaani ,”*
*❉ 20 – Sirka istemal karna Sunnat hai,Jis Ghar me Sirka Mojood hai Wo Ghar Saalan ka Mohtaaj Nahi Samjha ja sakta,*
*➧ 21 – Khalis Gandum Agar koi istemal karta hai To use Chahiye k Usme kuchh Jo bhi mila le chahe Thodi miqdaar me ho taaki Sunnat per Amal ka sawab haasil ho jaye,*
*❉ 22 – Gosht khana Sunnat hai, Rasoole Akram ﷺ ka farman hai k Duniya aur Akhirat me khano ka sardaar Gosht hai,*
*➧ 23 – Apne Musalman Bhai Kï Dawat Qubool karna sunnat hai, Albatta Agar ( Zyada Aamdani ) Sood ya Rishwat ( Kisi bhi Haram kamayi ) ki ho ya Badkaari me mubtila ho to uski Dawat Qubool nahi karna chahiye,*
*❉ 24 –Mayyat ke Rishtedaro Yani Mayyat ke Ghar ke Logo'n ko Khana dena Masnoon hai,*
●════════●
*☞_ Paani Pine Kï Sunnate'n ,*
*❉ 1 – Daaye haath se Pina ,Kyuki Baaye haath se Shaitan pita hai,*
*➧ 2 – Paani pine Se Pehle Agar khade ho to beth Jana Khade ho kar pina mana hai,*
*❉ 3 – ” Bismillah ” keh kar Pina aur pine ke baad ,” Alhamdulillah ” kehna,*
*➧ 4 – Teen Saa'ns me pina aur Saa'ns lete waqt Bartan ko moo'nh se Alag Karna ,*
*❉ 5 – Bartan ke toote hue kinaare Kï taraf se na pina,*
*➧ 6– Mashak Se moo'nh laga kar paani na piye ya Koi bhi Esa Bartan jisse dafatan Paani Zyada aa jane ka ahatmal ho ya ye andesha ho k isme koi Saa'np ya Bichchhu aa jaye,*
*❉ 7– Paani pi kar Agar Doosre ko dena hai to Pehle Daahine wale ko de aur fir usi tarteeb se daur khatm ho ,isi Tarah Chaay ya Sharbat bhi pesh kare,*
*➧ 8 – Doodh pine ke baad ye Dua padhe ,:-*
*➧ ” Allahumma Baarik Lana fihi wa zidna minhu ,”*
*❉ 9 – Pilane wale ko Aakhir me pina,*
●════════●
*☞_ Libaas Kï Sunnate’n,*
*❉ 1- Huzoor ﷺ ko Safed Rang ka kapda Pasand tha,*
*➧ 2- Qameez ,Kurta vagera Pehne To Pehle Daaya haath Aasteen me daale ,fir Baaya haath, isi Tarah Pajama aur Shalwaar ke liye pehle Daaya Paa'nv fir Baaya Paa'nv,*
*❉ 3- Pajama ,Shalwaar ya Lungi Takhne se Ou'nchi rakhe, Takhne Se Niche latkane Se Allah Ta’ala Naraaz hote hai'n,* 
*➧ 4- Naya Kapda Pehan kar ye Dua padhe,:-*
*➧ ” Alhamdu lillahillazi kasaani haaza wa razakaniihi min gayri havlim minni wala quwwatin ,”*
*❉ 5- Amaama Ke Niche Topi rakhna Sunnat hai,*
*➧ 6- Huzoor ﷺ ko Kurta Bahut Pasand tha,*
*❉ 7- Siyaah Saafa Baa'ndhna Masnoon hai, Shamla Chhorna bhi Masnoon hai,*
*➧ 8- Topi Pehanna Sunnat hai,*
*❉ 9- Qameez Ya Kurta Vagera utaarna ho to Pehle Baaya Haath Aasteen Se Nikaalne fir Daaya haath ,isi Tarah Shalwaar aur Pajama utaarte Waqt Pehle Baaya pair Bahar Nikaalne fir Daaya,*
*➧ 10- Joota Pehle Daaye Paa'nv me pehne fir Baaye Paa'nv me,*
*❉ 11- Utaarte waqt Pehle Baaye Paa'nv Se utaare fir Daaye Paa'nv Se,*
●════════●
*☞_  Baalo Kï Sunnate’n,*
*❉ 1- Nabi Kareem ﷺ ke Sar Mubarak ke Baalo Kï lambayi Kaano ke Darmiyan Tak aur Doosri Rivayat ke Mutabiq Kaano Tak aur Ek aur Rivayat ke Mutabiq Kaano Kï Lo Tak thi ,unke Qareeb Tak hone Kï bhi Rivayat hai,*
*➧ 2- Poore Sar per Baal rakhna Kaano Kï Lo Tak ya isse kisi qadar Niche Sunnat hai aur Poora Sar mu'ndwana bhi Sunnat hai aur agar Katarwana chahe to Poore sar ke Baal Sab Taraf se Barabar katarwana jaa’iz hai,*
*➧lekin aage Kï taraf se Bade rakhna aur Gardan Kï taraf chhote kara dena jisko Angrezi Baal kehte hai’n Jaa’iz nahi,*
*➧ isi tarah Sar ka kuchh hissa mundwa dena aur Kuchh Chhor dena bhi jaa’iz nahi, Allah Ta’ala har Musalman ko isse bachaye,*
*❉ 3- Daadhi ko Badhane aur Moo'nchho ko kam karne ke mutalliq Ahades me Hukm waarid hai,*
*➧ Daadhi mu'ndwana ya Ek Musht se Kam katarwana Haram hai, Allah Ta’ala har Musalman ko isse mehfooz rakhe, Ek musht Daadhi rakhna Waajib hai aur Ek Musht Kï miqdaar Sunnat Se saabit hai,*
*❉ 4- Moo'nchho ko katarne me Mubalga karna Sunnat hai, Lambi Lambi Moo'nchhe rakhne Per Hadees me Sakht waied aayi hai,*
*➧ 5- Zere Naaf ,Bagal aur Moo'nchho ke Baal aur Nakhoon vagera Door karke Saaf suthra rehna Agar 40 din guzar jaye aur safayi na kare to gunahgar hoga,*
*❉ 6- Baalo ko dhona, Tel Lagana aur Kangha karna Masnoon hai, Lekin Zarurat na ho To Beech me Ek Aadh Din naaga kar dena chahiye,*
*➧ 7- Kangha kare To Pehle Daayi Taraf se Shuru kare,*
*❉ 8- Kangha Karte hue ya Hasbe Zarurat Jab bhi Aa'ina dekhe to ye Dua kare ,:-*
*➧” Allahumma Anta Hassanta Khalqi Fa Hassin Khuluqi ,*
●════════●
*☞_ Bimari, ilaaj aur Ayadat Kï Sunnate’n,*
*❉ 1-Bimari me Dava aur ilaaj karana Masnoon hai, ilaaj karata rahe Magar Bimari Kï Shifa E Nazar Allah Ta’ala hi per rakhe,,*
*➧ 2- Kalonji aur Shehad ke saath ilaaj karna Sunnat hai,*
*❉ 3- ilaaj ke dauraan Nuqsan pa6hunchane Wali Cheezo Se Parhez karna chahiye,*
*➧ 4- Apne Bimaar Bhai Kï ayadat ke liye Jana Sunnat hai,,*
*❉ 5- Bimaar Pursi kar ke Jald Lot aana Sunnat hai, Kahi'n Tumhare Zyada der Tak bethne se Bimaar ko Takleef na ho ya Ghar walo ko Kaam me khalal na pade,*
*➧ 6- Bimaar Kï har Tarah Tasalli karna Masnoon hai, Maslan usse ye kahe'n k in Sha Allah Tum jaldi Achchhe ho jaoge, Allah Ta’ala Badi Qudrat wale hai’n Koi Dar ya Khof Paida karne Wali Baat Bimaar se na kahe'n,*
*❉ 7- Jab kisi Mareez Kï Ayadat kare to usse yu’n kahe'n -La ba-sa tahoorun inshallah (Koi harj nahi in Sha Allah ye Bimaari Gunaho'n Se Paak karne Wali hai) fir Uski Shifayabi ke liye Saat Martaba ye Dua padhe :-*
*➧ ” As’alullaahal Azeema Rabbal Arshil Azeemi ayyashfiyaka ,”*
*➧ Huzoor ﷺ ne Farmaya k Saat Martaba isko padhne se Mareez ko Shifa hogi, Haa’n Agar Uski Maut hi aa gayi ho to Doosri Baat hai,*
●════════●
*☞_ Safar Kï Sunnate,*
*❉ 1- Jaha’n tak ho sake Safar me Kam se kam Do Aadmi jaye ,Tanha Aadmi safar na kare, Albatta zarurat aur majburi me koi harj nahi,*
*➧ 2- Sawari ke liye Rakaab me paanv rakhe to ”Bismillah” Padhe ,(ya Sawaari per chadte waqt )*
*❉ 3- Sawari per achchhi tarah beth jaye to teen martaba ”Allahu Akbar” kahe fir ye Dua padhe :-*
*➧ ” Subhanallazi Sakhkhar Lana haaza wama Kunna Lahu Muqrineena Wa inna ilaa Rabbina laa Munqaliboon ,”*
*❉ 4 – Raaste me Theharne Kï zarurat pesh aaye to Sunnat ye he k Raaste se hat kar qayaam kare ,Raaste me padaav na daale k aane Jane walo ka Raasta ruke aur unko takleef ho,*

*➧ 5– Safar ke dauraan jab Sawari Ounchaai per chade to ” Allahu Akbar ” kahe,*
*❉ 6– Jab Sawari Ouchaai se niche aane lage to to ”Subhanallah ” kahe,*
*➧ Mirkaat me he k Ye Sunnat Safar Kï he lekin Apne gharo me ya Masjid Kï Seedhiyo per chadhe waqt Daahina paanv badhaye to ”Allahu Akbar” kahe chahe ek hi Seedhi ho aur Niche utarte waqt Baaya paanv aage badhaye to ”Subhanallah” kahe chahe mamooli utaar ho, to Sunnat ke Sawab Kï tawaqqo hai,*
*❉ 7- Jis Shehar ( City ) ya Gaanv me Jane ka iraada ho Jab usme Dakhil hone lage to to Teen baar ye Dua padhe ,:-*
*➧ ” Allahumma Baarik lana feehaa,”*
*➧ Fir ye Dua padhe,*
*”_Allahummarzuqna janaa Haa wa Habbibna ilaa Ahlihaa wa Habbib Saalihi Ahlihaa ilaynaa ,”*

*❉ 9 – Rasulallah ﷺ ka irshad he k Jab safar Kï zarurat poori ho jaye to Apne ghar laut aaye ,Safar me Theharna Achchha nahi,*
*➧ 10– Door daraaz ke safar se bahut dino baad zyada Raat gaye agar ghar aaye to usi waqt ghar me na jaye balki behtar he k Subeh makaan me jaye,*
*➧ Albatta agar ghar walo ko der se aane Kï khabar ho aur unko tumhar intezar bhi ho to usi waqt ghar me Dakhil hone me koi harj nahi,*
*❉ 11 – Safar me Kutta aur Ghungru Saath rakhne Kï muma’anat aayi hai ,kyuki inki Vajah se Shaitaan pichhe lag jata he aur Safar Kï Barkat Jati rehti hai,*
*➧ 12– Safar se laut kar aane wale ke liye ye Masnoon he k ghar me Dakhil hone se pehle Masjid me Jaa kar do raka’at Namaz padhe,*
*❉ 13– Jab Safar se waapas aaye to ye Dua padhe,:-*
*➧ ”Aa’iboona Taa’iboona Aabidoona Li rabbina Haamidoona ,”*
●════════●
*☞_ Nikaah Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ 1- Masnoon ( Barkat wala) Nikaah Wo he Jo saada ho jisme hangama ya Zyada Takalluf aur Jahez vagera ka Jhanjhat na ho,*
*➧ 2- Nikaah ke Liye Nek aur Saaleh fard ko Talash karna aur Mangni Ya paigam bhejna Masnoon hai,*
*❉ 3- Juma ke Din Masjid me Nikaah karna pasandida aur Masnoon hai,*
*➧ 4- Nikaah ko Mash'hoor karna Sunnat hai,*

*❉ 5- Haisiyat ke mutabiq Mahar muqarrar karna Sunnat he,*
*➧ 6- Shadi Kï pehli Raat ho to Bivi Kï peshani Pakad kar ye Dua padhe,::—*
*➧ ” Allahumma inni As’aluka Khayra haa Wa Khayra maa Jabaltaha Alayhi Wa A’uzu bika min Sharrihaa wa Sharri maa Jabaltaha Alayhi ,”*
*❉ 7- Jab Bivi se Sohbat ka iraada kare to Ye Dua Padh le fir Agar Aulaad hogi To Us per Shaitan Musallat nahi ho sakta aur usko nuqsaan nahi Pahu'ncha sakta ,,Dua ye he ,:::—*
*➧” Bismillahi Allahumma Jannibnash Shaytaana Wa jannibish Shaytaana Maa Razaqtana ,”*
●════════●
*☞_ Waleema Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ Shabe Uroosi ( Bivi ke Saath Pehli Raat ) guzaarne ke baad Apne Azeezo, Dosto, Rishtedaro aur Masakeen ko Waleeme ka khana khilana Sunnat hai,*
*➧ Waleeme ke liye zaroori Nahi hai k Bade Paimane per Khana Taiyaar karke khilaye Balki Thoda Khana, haisiyat ke mutabiq Taiyaar karke Khilana bhi Adaaygi E Sunnat ke liye kaafi hai,*

*❉ Bahut hi Bura Waleema hai k Maaldaar aur Duniyadaar Logo'n ko To Bulaya jaye Magar Gareeb Miskeen, Mohtaaj aur Deendaar Logo'n Ko Dhutkaar diya jaye, Ese Waleeme Se Bachna Chahiye,*
*➧ Waleeme me Adaaygi Sunnat Kï Niyat rakho, Deendar Gareeb aur Mohtaaj Logo'n ko bula'o, Ameero me se bhi jisko Dil Chahe bula'o Magar Gareebo ko dhakke na do,*

*❉ Jo Waleema Naam aur Dikhawe ke liye ya Logo'n Kï Tareef ke liye kiya jaye uska koi Sawab Nahi Balki Allah Ta’ala Kï Narazgi aur Gussa ka Andesha hai,*
●════════●
*☞_ Bachcha Paida hone Kï Sunnate’n,*
█ 
*❉ 1- Jab Bachcha Paida ho to uske Daaye kaan me Azaan aur Baaye Kaan me Takbeer kehna,*
*➧ 2- Jab Bachcha Saat Roz ka ho jaye to Uska Achchha sa Naam rakhna,*
*❉ 3- Saatve Roz Aqeeqa karna, Agar Saatve (7) Roz Aqeeqa na kar sake to Chohdhve (14) Roz Varna ikkeesve (21) Roz kar de,*
*➧ 4- Bachche ka Sar mu'ndwa kar Baalo ke Vazan ke barabar Chandi khairaat karna,*
*❉ 5- Sar Mu'ndne ke baad Bachche ke Sar me Zaafran Laga dena,*
*➧ 6- Ladke ke Aqeeqe me Do Bakre ya Do Bakriya'n aur Ladki ke Aqeeqe me Ek Bakra ya Bakri Zibah karna,*

*❉ 7- Aqeeqe ka Gosht Dada, Dadi, Nana, Nani vagera Sab hi kha sakte hai'n,*
*➧ 8- Aqeeqe ka Gosht paka kar ya Kachcha Taqseem kiya ja sakta hai,*
*❉ 9- Kisi Buzurg Se Chhuhara Chabwa kar Bachche ke moo'nh me Daalna ya Chatana aur Dua karana,*
*➧10- Jab Bachcha Saat Baras ka ho jaye use Namaz v Digar Deen Kï baate sikhana,*
*❉ 11- Jab Bachcha Das Baras ka ho jaye to Sakhti se Daa'nt kar Namaz padhwana aur Zarurat Pesh aaye to Saza dena taki Namaz ka Aadi ho jaye,*
●════════●
*☞_ Ma'shrat Kï chand Sunnate’n–*
 █ 
*❉ 1- Salam karna Musalmano ke Liye Bahut Badi Sunnat hai, Rasulullah ﷺ ne iski Bahut Takeed farmayi hai, isse Aapas me Muhabbat badhti hai,*
*➧ Har Musalman ko Salam karna Chahiye Chahe pehchanta ho ya na ho, Kyunki Salam islami Haq hai kisi ke jaanne aur sanasaayi per moqoof nahi,*
*⚀•RєԲ :- Bukhari Sharif ,2/ 921,*

*❉ 2- Bachcho'n ko bhi Salam karna Sunnat hai,*
*⚀•RєԲ :- Bukhari ,2/921 Muslim ,2/214,*

*➧ 3- Salam karne ka Sunnat Tareeqa hai k Zaban se , ”Assalamu Alaykum” kahe, Haath se ya Ungli ke ishare se Salam karna ya iska jawab dena Sunnat ke khilaf hai, Agar Door ho to Zaban aur Haath Dono se Salam kare,*
*⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/399 Tirmizi ,2/99,*

*❉ 4- Kisi Musalman bhai se Mulaqaat ho to Salam ke Baad Musafa karna Masnoon hai, Aurat Aurat se musafa kar sakti hai,*
*⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/401,*

*❉ 5- Agar Kisi Majlis me jaye to Jaha’n moqa mile Jagah mile beth jao Doosro ko utha kar khud beth Jana gunaah Kï baat aur makrooh hai,*
*⚀•RєԲ :-Bukhari Sharif, 2/401,Muslim ,2/21,*
 █ 
*❉ 6- Agar koi Shakhs Aapse Milne aaye to Aap Apni Jagah se Zara sa khisak jaye, Chahe Majlis me Gunja’ish ho, Ye bhi Sunnat hai aur isme us aane wale ka ikraam hai,*
*⚀•RєԲ :-Zadul Talibeen ,56 Shobul imaan ,6/468,*

*❉ 7- Kahi'n Agar Sirf Teen Aadmi ho to Ek ko Chhor kar Kaana Foosi Kï ijazat nahi k Khwahmkhah Uske Dil me Shub'haat Kï Vajah Se Ranjeeda hoga aur Musalman Bhai ko Ranjeeda karna ( Dil dukhana ) bahut bada Gunaah hai,*
*⚀•RєԲ :- Muslim ,2/219,*

*❉ 8- Kisi ke Makaan Per jaana ho To Usse ijazat le kar Dakhil hona Chahiye,*
*⚀•RєԲ :- Mishkaat ,2/401,*

*❉ 9- Jab Jamayi aaye To sunnat ye hai k Usko Rokne Kï Poori koshish kare,*
*⚀•RєԲ :- Bukhari ,2/919,*
*➧ Agar moo'nh koshish ke bavjood band na rakh sake to Baaye haath Kï Pusht ko moo'nh Per rakh le aur Ha ha Kï Awaaz Nikalna ye Hadees me mamnoo hai,*

*❉ 10- Agar kisi ka Achchha Naam Suno To Usse Apne maqsad ke Liye Nek fa'al Samajhna Sunnat hai ,aur usse khush hona bhi Sunnat hai, Bad fali Lene ko Sakht mana farmaya gaya hai,*
*➧ Jese Raaste chalte kisi ko Chhee'nk aa gayi To ye samajhna k kaam na hoga ya Kawwa bola, Ya Bandar Nazar aa gaya ya ullu bola to inse aafat aane ka Guman karna Sakht Nadaani hai aur Bilkul Be-Asal Galat aur Gumrahi ka Aqeeda hai, isi Tarah kisi ko Manhoos Samajhna ya kisi Din ko manhoos Samajhna Bahut Bura hai,*
*⚀•RєԲ :- Mirqaat ,9/2-6,*

*➧ Sunnat Per Amal karne se Banda Allah Ta’ala ka Mehboob ho jata hai,isliye Ahatmam se is per Amal karna chahiye,*
●════════●
*☞_ Maut aur Uske Baad Ki Sunnate'n:-*
*❉_ 1_ Jab Ye Maloom Hone Lage K Maut Ka Waqt Qareeb hai To Us Waqt Jo Log Waha'n Mojood Ho'n Uska Moo'nh Qibla Ki Taraf fair de'n aur Kalma Ki Talqeen Kare'n Yani Kalma Padhne Lage'n,*
*❉2_ Jab Maut Qareeb Maloom ho To Ye Dua Padhe- "Allahummagfilli Warhamni wa Alhiqni Birrafeeqil A'ala"*
*❉(Tarjuma) - Ey Allah Mujhko Bakhsh de aur Mujh par Raham farma aur Mujhe Ouper Wale Saathiyo'n me Pahu'ncha de,*
*❉3_ Jab Rooh Nikalne Ke Asaar Mehsoos Ho'n To Ye Dua padhe- Allahumma A'inni Alaa Gamaraatil Mavti wa Sakaraatil Mavti _,*
*❉(Tarjuma)- Ey Allah Maut Ki Sakhtiyo'n ke Moqe par meri madad farma,*
*❉4_ Jab Maut Waqe ho jaye To Ahle Ta'alluq Ye Dua padhe- "inna Lillaahi Wa inna ilayhi Raajioun, Allahumma Aajirni fi musibati Wakhluf Lee Khayram minha _,*
*❉(Tarjuma)- Beshak Hum Allah hi ke Liye hai'n aur Hum Allah hi ki Taraf Lotne Wale hai'n, Ey Allah Mujhe Meri Musibat me Ajr de aur iske Evaz mujhe isse Achchha Badal inayat farma _,*

*❉5_ Rooh Nikal jane ke baad Mayyat Ki Aa'nkhe Band Kar de'n,*
*❉6_ Jo Shakhs Mayyat ko Takhat par Rakhne Ke liye uthaye Ya Janaz uthaye to Bismillaah kahe,*
*❉7_ Mayyat Ko Dafan Karne me Jaldi Karna Sunnat hai,*
*❉8_ Jab Mayyat Ko Qabr me rakhe to ye Dua padhe- "Bismillaahi Wa Ala millati Rasoolil laahi Sallallahu alaihi wasallam_",*

*❉9_ Mayyat Ko Qabr me Dahini Karwat par is Tarah litana Chahiye k Poora Seena Ka'aba Ki Taraf ho aur Pusht Ko Qabr Ki Diwaar se Laga de'n,*
*"❉_ Aaj Kal Log Sirf Moo'nh Ka'aba ki Taraf kar dete hai'n aur Chit lita dete hai'n k Seena Aasman ki Taraf hota hai, Ye Bilkul Khilafe Sunnat hai,*
*❉10_ Mayyat Ke Ghar Walo ko khana dena Masnoon hai, is Khane ko Tamaam Biraadri ya Rishtedaro ko khana Jaa'iz nahi, Naam aur Dikhawe ke liye Esa Karna Jaa'iz nahi Jo Mojood ho de diya jaye,*
*❉11_ Jab Mayyat Ke Dafan se Huzoor ﷺ Faarig Hote to Khud bhi aur Doosro se farmate k Apne Bhai ke liye istagfaar karo aur Saabit Qadam Rehne ki Dua karo k Allah Ta'ala use Munkar Nakeer ke jawab me Saabit Qadam Rakhe,*
*❉12_ Dafan ke baad Murda ke liye Qibla rukh ho kar Dua karna Masnoon hai, Lekin Namaze Janaza ke baad Dua karna jesa k Aaj Kal Rivaaj Ho gaya hai Jaa'iz Nahi _,* 
●════════●
*☞_Baaz Aadate'n Khaslate Nabvi ﷺ aur Mutafarriq Sunnate'n:-*
*❉1_ Jab Aap ﷺ Chalte they To Logo'n Ko Aage Se Hataya nahi Jata tha,*
*❉2_ Aap ﷺ Jaa'iz Kaam ko mana nahi farmate they, Agar Koi Sawal karta aur Usko Poora karne Ka iraada hota to haa'n keh dete Varna Khamosh Ho Jate,*
*❉3_ Aap ﷺ Apna Chehra kisi se na fairte, Jab Tak Wo na fairta, aur Agar Koi Chupke se baat Kehna Chahta to Aap kaan uski Taraf kar dete aur Jab Tak Wo Faarig nahi hota tha Aap ﷺ kaan nahi hatate they,*
*❉4_ Jab Aap ﷺ Kisi ko Rukhsat farmate to ye Dua farmate-*
*"_ Astawdiullaha Deenakum Wa Amanatakum Wa khawatima A'amalikum _, (Tirmizi)*
*❉5_ Jab Aan Hazrat ﷺ Koi Pasandida Cheez dekhte to farmate-*
*"_ Alhamdulillahillazi Bi Ni'amatihi Tatimmus Saalihaatu _,*
*"❉_Aur Jab Nagawari ki Haalat pesh aati to farmate-*
*"_ Alhamdulillahi Alaa kulli Haali _,( ibne Maaja)*

*❉6_ Jab Koi milta to Pehle Aap ﷺ Salam karte they, ( Shama'il E Tirmizi-12)*
*❉7_ Jab kisi Cheez ko Karwat Ki Taraf dekhte to poora chehra fair kar dekhte, Mutakabbiro Ki Tarah Kankhiyo se na dekhte, (Khasa'il Sharah Shama'il -12)*
*❉8_ Nigaah Nichi Rakhte they, Gayate Haya ki vajah se Nigaah bhar kar na dekhte they, ( Khasa'il -12)*
*❉9_ Bartaav me Sakhti na farmate Narmi ko pasand farmate, Aap intehayi Naram Mizaaj Halimul Tabiyat aur Raham Dil they, (Mishkat faizail Sayyadul Mursaleen -2/512)*
*❉10_ Huzoor ﷺ Chalte waqt Paa'nv uthate to Qadam Quwwat Se uthta tha aur Qadam is Tarah rakhte they k zara Aage ko jhuk jate, Tawazo ke Saath Qadam badha kar chalte goya kisi Bulandi se Pasti me utar rahe Ho'n, (Khasa'il -13/73)*  
*❉_11_ Sabse Mile Jule Rehte they ( Yani Shaan bana Kar na Rehte they) Balki kabhi kabhi Mazaq bhi farma lete they,*
*❉_12_ Agar Koi Gareeb aata ya Budhiya Aapse Baat karna Chahti To Aap ﷺ Sadak ke Ek Kinare par Sunne ke Liye Beth jate,*
*❉_13_ Namaz me Qur'an Majeed ki Tilawat farmate To Seena Mubarak se Haa'ndi kholne ki si Sada aati, Khofe Khuda ki Vajah Se Ye Haalat hoti thi,*
*❉_14_ Ghar Walo ka bahut Khayal rakhte k Kisi ko Aap ﷺ se Takleef na Pahu'nche, isiliye Raat ko Bahar jana hota To Aahista se Darwaza kholte Aahista se Bahar chale jate,*
*"❉__ isi Tarah ghar me Tashreef Laate To Aahista Se aate Taaki Sone Walo ko Takleef na ho aur kisi ki Neend Kharab na ho jaye, ( Mishkaat-280)*

*❉_15_ Jab Chalte To Nigaah Nichi Zameen Ki Taraf rakhte, Majme ke Saath Chalte To Sabse pichhe hote aur Koi Saamne Se aata To Sabse Pehle Salam Aap ﷺ hi karte, ( Shama'il E Tirmizi-12)*
*❉_16_ Kisi Qaum ka izzatdaar Aadmi ho To Uske Saath izzat se Pesh aate,*
*❉_17_ Apne Awqaat me se Kuchh Waqt Allah ki ibadat Ke liye, Kuchh Ghar Walo Ke Huqooq Ada karne Ke Liye Jese unse Ha'nsna bolna aur Ek Hissa Apne Badan ki Raahat ke liye nikalna, ( Shama'il E Tirmizi-198)*
*❉_18_ Sarware Do Aalam ﷺ par Darood Sharif padhte rehna, ( Nashrul Tayyab-170)*
*❉_19_ Padosi Ke Saath Ahsaan karna, Bado'n Ki izzat Karna aur Chhoto'n par Raham karna, ( Mishkaat-2/424)*
*❉_20_ Koi Rishtedaar Bad Sulooki Kare To Uske Saath Mohsin Sulook Se Pesh aana, ( Mishkaat- 519)*
*❉_21_ Jo Log Duniya Ke Aitbaar Se Kamzor hai'n Unka Khayal rakhna,*
*❉_22_ Daaye'n ya Baaye'n Jaanib Takiya Lagana, ( Shama'il E Tirmizi m'a Khasa'il E Nabvi-76)*

*❉_23_ Bivi Ka Dil Khush Karne ke Liye Usse Mazaq karna aur Ha'nsi Ki Baat karna bhi Sunnat hai, ( Khasa'il Sharah Shama'il -198)*
*❉_24_ Baad Namaz Fajar ishraaq tak Aap ﷺ Masjid me murabba ( Aalti Paalti ) Bethte they, aur Apne Ashaab me bhi Aap ﷺ murabba Bethte they, ( Khasa'il Sharah Shama'il -76)*
*❉_25_ Apne Musalman Bhai Se Kushada Chehra milna, ( Tirmizi -2/18)*
*❉_26_Sawari par uske Maalik ko aage bethne ke liye kehna aur uski Sareeh ijazat ke bager Aage na bethna Sunnat hai, (Mushkaat)*

*❉__ Naqshe Qadam Nabi Ke hai'n Jannat Ke Raaste, Allah Se milate hai'n Sunnat Ke Raaste _,*
*❉_Alhamdulillah Post Mukammal Hui _,*

*📚 Pyare Nabi Kï Pyari Sunaate’n ,*
https://whatsapp.com/channel/0029VaoQUpv7T8bXDLdKlj30
*👆🏻Follow for Join WhatsApp Channel* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕                     
       *❥✍ Haqq Ka Daayi ❥*    
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

0 Comments