❈❦ 06 ❦❈*
☜█❈ *Haqq Ka Daayi*❈ █☞
☞❦ *NOOR- E -HIDAYAT* ❦☜
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _. Deen Par Chalne Ka Akhtyar ,*
*↬• Jitni Ummat per Tangiya’n hai'n Kisi bhi Line se, in Tangiyo’n se Nikalne ke liye Sabse Buniyadi Cheez Taqwa hai, Isliye Allah Ta’ala ne Taqwe per Vaade farmaye hai’n aur khoob Vaade farmaye hai’n, Paanch Vaade hai Taqwe per,*
*★_ Farmaya Jo Taqwa Akhtyar Karega Hum Uske Nikalne Ka Raasta Banayenge, Rivaayato me aata hai k Saato Asmaano Zameen Mila diye Jaye'n aur Waha’n kisi ko Gunaah Ka moqa diya Jaye aur Wo Us Gunaah Se Bachna Chahe to Allah Ta’ala Saato Zameen Asmaan se nikalne Ka Raasta bana de'nge,*
*★• _ Bahut Saare Umoor, Bahut Saare Qawaneen Ese hai’n k Musalman ye Keh Kar Beth gaya Hai k hum Kya Kar sakte hai’n ? Jo Shakhs Jitne Deen per Chalne ka Akhtyar rakhta Hai utne Deen Per Agar Nahi Chalega to Allah Rabbul izzat Deen Ke un Umoor Per Jin per Chalne Ka Akhtyar Nahi hai, Momin ki Madad Gairo ke muqable Per Nahi Karenge, Tum Jitna Kar sakte ho Usko Poora Karo,*
*★_ Yusuf Alaihissalam Ye Keh Kar Nahi Beth gaye Na’uzubillaah k Mai’n Kya Kar Sakta hu’n Darwaze band hai’n, Nikal Nahi Sakta, Balki uth Kar Bhaage, Ek Darwaze per pahunchte Darwaza khul jata tha, Saare Darwaze khulte Chale gaye,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Aus bin Maalik Raziyallahu Anhu Ki Rihayi ka Waqi’a,*
*↬• Sawal Aamdani Ka Zariya nahi Hai, Sawal Aamdani ke khatm hone Ka zariya hai,*
*★•_ Ek Sahabi they Aus bin Maalik Raziyallahu Anhu inke Waalid inki Rihayi Se Mayoos ho gaye, Ye mushrik ki qaid me they Sakht Jail me, Arz Kiya- Mai’n apne Bete ki Rihayi Se Mayoos ho Chuka hu’n Arsa guzar gaya usko Qaid me, Kya karu ? Farmaya– Usse kaho ” Laa Hawl… ” padha Kare,*
*★• _ Unhone La Hawla Wala Qawwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem Padha, Qaid khana Tukde Tukde ho Kar gira, Ye Waha’n Se nikle, Ek Ou'ntni bethi Hui thi ,Us per sawaar hue, Baahar Maidaan Saara Ou'nto se bhara hua tha Mushrikeen Ka, Ek ishara Kiya, Wo Saare Oun't inke pichhe ho gaye, Sabko le kar Ghar pahu'nche, aa kar arz Kiya– Ya Rasulallah ﷺ ye Ma'amla hua, Tab ye Aayat Naazil Hui _” Hum Rizq ke dene me Zameen ke Paband nahi hai'n,*
*★• _ Ky'unki Zameen Qudrat ke T’arruf ke liye hai, Zameen Qudrat se lene ke liye nahi hai, Agar Rozana in Shaklo Ka inkaar Nahi karoge To Rafta Rafta Momin ko Shaklo ke Yaqeen per Aamada Kiya jayega k Zameen Tumhe Galla de rahi hai Zameen Ka Shukriya Ada Karo, Zameen Tumhe Galla de rahi Hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Sawal Se Bachne Per Ek Sahabi Per Rizq Ka Darwaza Khulna,*
*↬• Allah Ta’ala Ka Taqwe per Vaada hai k Tum Sawal se Bachna Chahoge hum Tumhe Esi Jagah se Rizq de'nge Jaha’n Se Uska aana Mumkin nahi,*
*★•_ Log samajhte hai’n Sawal Se Masla Hal ho jayega, Sawal se Masa’il Hal Nahi Hote Sawal se Masa’il Paida Hote hai’n, Sawal Se Faqr Ka Darwaza khatm Nahi hota Sawal se faqr badhta hai,*
*★• _ Ek Sahabi Faqr se Tang aa kar Nikle Ghar se, Bivi ko Khayal hua Kahi'n Esa na ho Pados me Kahi'n ja Kar Ghar Ka Haal khol de, Bivi ne Khaali Chakki Chalani Shuru Kar di k Awaaz hogi Chakki Chalne ki, Ghar ke Tandoor me Aag jalayi Taki Dhu'nwa uthe aur Log dekhe k inke yaha’n to khana bhi Pak raha hai, Aata bhi pis raha hai,*
*★• _ Sahabi ne dekha Dhu'nwa uthta hua ,Palat Kar Ghar aaye, Kya Baat hai Pakane ko to Kuchh hai nahi Ye Aag Kyu jal rahi Hai, Bivi ne kaha Tum Ghar Se Nikle To Mujhe khatra hua Kahi'n Sawal na Kar betho, Maine Tanddor me Aag jala di aur Chakki ko Chala diya, Allah ki Shaan Chakki Khud Ba Khud chal rahi thi, Usse aata Nikal raha tha, Jabki Ghar me Khaane ko Daana Nahi Tha, Dandoor me jhaa'nk kar dekha to Saara Tandoor Bakre ki Taa'ngo se bhara hua tha,*
*★• _ Khayal me aaya k Chakki Ka Paat utha Kar Dekhna chahiye, Unhone Chakki Ka Paat utha Diya, Subeh Huzoor Akram ﷺ Se aa kar arz Kiya- ya Rasulallah ﷺ Raat ye hua, Aap ﷺ ne farmaya- Agar Tum Chakki ke Paat ko na uthate Chalne dete to Qayamat Tak Chalti rehti, Aata Nikalta rehta,*
*★_ Jab ek Fard ke Faqr Chhipane Per itna aata mil Sakta tha Hamesha Ke Liye To Socho To Sahi Agar Musalman ijtimayi Tor Per Apne faqr ko Chhipaye to Kitne Rizq ke Darwaze khul gaye Hote,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Shukr Kya Hai ?,*
*↬•_ Shukr Sirf Zubaan ke kalamaat Ka Naam nahi hai, Asal Shukr ye hai k Aadmi Dil se Allah ke Saamne jhuke k Ey Allah Shukr Tera karta hu’n,*
*★• _ Lekin agar Zameen Ka inkaar Nahi karoge to Log Zameen ke Shukr per Majboor karenge k Zameen Ka Shukriya Ada Karo, Zameen Tumhe Galla de rahi hai, Hum bhi Zameen se galla le rahe hai’n aur tum bhi Zameen se galla le rahe ho to Shukr to dono per Waajib Hai To Shukr Mai dono mushtarak hai, Hargiz nahi Khuda ki Qasam Allah ke gair ki Taraf Ni’amat ki Nisbat Shirk hai, Allah ki zaat ki Taraf Ni’amat ki Nisbat Karna Shukr hai,*
*★• _ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko yahi do baate farmayi, Jo Ni’amat ki nisbat Makhlooq ki Taraf Kar ke Makhlooq ki taraf jhuk Jaye usko Mushrik kehte hai’n, insaan kisi bhi tarah Ka Sabab akhtyar karta Hai fir is Sabab KE akhtyar karne ke Baad zarurat ke poora hone ko Allah ke gair ki taraf mansoob karta Hai, Allah ne ye khoob Qur’an mai samjhaya –*
*“__ Ye Apni Bivi se milta hai, Halka sa Hamal thehar Jata hai, Ye ( Bivi ) Hamal ko le Kar firti rehti hai Ghar ke kaam kaaj mai ,Jab Hamal bhari ho jata Hai to Dono ( Miya’n Bivi ) Dua Karte hai’n – Ey Allah ! Tu is Bachche ko Apni qudrat se theek thaak paida Kar de ,Hum kahenge Tune hi Kiya hai, is Bachche ko Tangi se Hum jab Apni qudrat se nikaalte hai’n , Aqal hairaan hoti Hai yaha’n, Lekin hum jab Apni qudrat se dete hai’n ,Sirf hamare diye hue me Hamare Amr mai hamare gair ko Shareek thehrate hai’n,*
*★• _ Doctor Sahab Aap na Hote to jachcha Bachcha bachne wale nahi they ,Sirf Aapne hi Kiya hai, itna hi nahi Auro ko bhi Mashwara dega Fala Doctor ke paas jana ,Allah ne uske haath mai Shifa rakhi hai ,*
*★• _ Allah Kisi ke haath mai Shifa nahi rakhte, Allah Ta’ala har Aan Har Ghadi Apne haath mai Shifa rakhte Hai’n ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Allah ke Gair Ka Roab Kab Dil me aata Hai?,*
*↬• Agar Shaklo Ka inkaar Nahi karoge To in Shaklo ke Shirk Tak Pahu'nch Jaoge, Allah ke gair ko bola hi Tab Jayega Jab Musalman Khud Ba Zaate Allah ko bolna Chhod denge, Musalman Rozana khud Jab Tak Allah ki Taraf Dawat Nahi dega Ye Shirk Bolne Per majboor ho jayega,*
*★• _ Musalman ke kisi bhi Fayl me, Kisi bhi Amal me kisi bhi farize me kisi tarah ki mudakhlat ke khilaf Allah ki Madad Nahi aayegi jab Tak Musalman Dawat per nahi aayega, in tansurul laaha yansurukum, Agar Tum Dawat per Nahi ho to Allah Ta’ala Baatil ke khilaf Tumhari Madad nahi karenge, Ye Ek Haqeeqat hai,*
*★• _ Zara jao Daure Sahaba ki Taraf To maloom hoga k Ahkaame Shari’at me Mudakhlat karne walo ko Allah Ta’ala ne Kis Tarah Nakaam kiya hai, Asal Baat ye hai K Allah ke gair ka Roab Musalman ke Dil me aata hi Tab Hai Jab Allah ka Roab Nikal Jata hai aur iske nikalne ki vajah ye hai k ye Rozana Allah Ta’ala ki Toheed aur uski Azmat ko Bolna Apna Kaam Nahi samajhta,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ Apne Maamlaat me Taqwa Lao,*
*↬• Taqwe per Doosra Vaada ye hai k Allah Ta’ala isko Rizq Waha’n Se de'nge Jaha’n inka Khayal Gumaan Nahi pahu'nchega, Isliye Sahaba Kiraam ki Tamaam Gaibi madade Wo Unke Taqwe ki den hai’n,*
*★• _ Ek Vaada ye farmaya k Hum muttaqi ke Kaam me Asaani paida karte hai’n, Teesra Vaada ye farmaya k Muttaqi ke Kaam me hum Ajr ko bada de'nge aur Pichhle Gunaah Ma'af Kar de'nge,*
*★• _ Sabse Zyada Zarurat To Apne Ma'amlaat me Taqwa lane ki hai, insaan Ka Badan ibaadat Ke Liye bana hai, Haraam Giza isko ita’at ki Taraf kabhi Nahi Chala sakti, Isliye Farmaya k Agar Sabr aur Namaz ke Zariye madad chahte ho to Ek hi Raasta hai, Apne Ma'amlaat ko Hukm per le aao,*
*★• _ Yaqeen ki kharabi ne Sood me Esa Jakad diya hai k Musalman ye Kehta hai k Sood ke bager kese Kaam chalega ? Tractor Sood Per liya hai aur Allah walo se Baarish ki Dua ki Darkhwast hai, Asbaab Haraam Liye hue hai’n Duao’n se Kaam chalana chahte hai’n,*
*★__ Yaad rakhna, Jab Dua Haraam gizao’n se mardood ho jati hai To ibaadat kese Maqbool ho jayegi ? Jabki Saari Duae’n ibaadat Ka magz hai’n, Jab Dua mardood hai Haraam Kamayi ke Saath, Sood se Jhoot se, Gaban se Jaha’n Jaha’n se bhi Haraam Kamayi ki shakle hai’n, Ye bhi Yaad rakhna k Haraam Kamayi per istigfaar Kar lene se Haraam Halaal nahi ho jayega, Haraam Haraam hi rahega ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Apni Giza Ko Pakiza Bana Lo,*
*↬• Mere Dosto ! Kisi Gunaah per itni Sakht Wa'eed nahi Hai Jitni Sood per hai, Kisi Gunaah Karne wale ko nahi kaha k Ye Gunaah Kar ke Allah Ta’ala se Uske Rasool Se Jung Kar raha hai,*
*★• _ Sochne ki Baat hai, idhar to Sood per Sood le Kar Allah Ta’ala se Jung chal rahi hai, Udhar Dua chal rahi hai, Isliye Sabse pehle Taqwa Lana hoga Ma'amlaat me,*
*★• _ Hazrat Farmate they– Log Haraam ke Luqme ko Mamooli samjh Kar khaa lete hai’n, Luqma Samandar hai, Khayalaat iske Moti hai’n, Pakiza Luqma hoga, Pakiza Giza hogi to Pakiza A’amaal ho'nge _”,*
*★• _ Mai’n to Yaqeen se Kehta hu’n Sirf Giza ko Pakiza Bana Lo to Ma'amlaat, Ma’ashrat , Akhlaaq Teeno line khud ba khud Durust ho Jaye'ngi in Sha Allah,*
*★• _ Koi Tehqeeq hi nahi karte maal Kaha’n se aaya, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Unke Gulaam ne Bhook ki Shiddat me Ek Luqma khila diya Kahanat ki Aamdani Ka, Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne us Luqme ko nikaala halaq se, Jab na nikla to Paani pi Kar Kay Kar ke nikala, Logo'n ne Luqma dekh Kar kaha – is Zara se Luqme ke liye Aapne itni koshish ki, Farmaya– Agar Meri Jaan de Kar nikalta to Mai’n isko nikaalta, Jo Qatra Khoon Ka Haraam Maal se Taiyaar ho Jahannam ki Aag Uski Zyada Haqdaar hai _,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ Hazrat Umair Ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu Ka Waqi’a,*
*↬• Ye Baat Yaad rakhna, ibaadat se pehle, Akhlaaq se pehle, Sabse Pehle Ma'amlaat ko Hukm per Lana hai, isliye k Khoon ko Paak rakhna hai,*
*★•_ Ajeeb Qissa hai, Ek Sahabi They Hazrat Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu, Umar Raziyallahu Anhu ne Unhe Governor banaya Hims per, Jitne bhi Ohde hai’n, Allah Ta’ala Ohde Apne Bando ko Sirf isliye dete hai’n Taaki inke Zariye Makhlooq ki zaruriyaat Poori ho, inke zariye insaaf qaa’im ho, Agar ye Zaalim ho'nge to Allah Ta’ala inse Chheen Kar Doosro ko de'nge,*
*★•_ Ese Governor nahi Hote they k moqa mila hai kamaane Ka Kama lo, Ese Governor Hote they k moqa mila hai Aakhirat banane Ka Aakhirat bana lo, Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu Saal bhar Governor ban kar rahe, Umar Raziyallahu Anhu ko Khayal hua Ek saal ho gaya hai, Unhone abhi Tak koi Zakaat ki Raqam yaha’n nahi bheji, Maal ko laa Kar Hume dena Tha, Hum kharch karte Jaha’n kharch Karna tha, Umar Raziyallahu Anhu ne unko khat likha, Khat ko Zameen Per rakhne Se Pehle Pehle Meri Taraf Chal dena,*
*★• _ Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu ne khat padha, Khat padhte hi foran Ek Thela, Usme Ek Piyala, Ek lota vazu ke liye, Thodi si khajoore li aur Hims se 2000 Kilo meter tak Ka Safar Tay Kar ke Paidal Madina Munawwara Pahu'nche, Waha’n Pahu'nche to Baal Bade Bade ho gaye, Gubaar Aalood Kapde, Jism,*
*★•_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu pehchan to gaye, Puchha Ye Kya shakl banayi hai, Kya Huliya banaya hua hai, Farmane lage, Umar Mera Huliya Kya dekh rahe ho, Tumhe Maloom nahi Mera khoon Paak hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ Hazrat Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu Ka Governori se inkaar,*
*↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya– Wo Maal Kaha’n hai Jo Tumhe lene ke liye bheja tha, Farmane lage- Us Maal me na Tera koi hissa tha na Mera koi hissa hai, Waha’n gaya, Maaldaaro se Maal Vasool Kiya, Fuqra ko Diya aur Aa gaya waapas, Hazrat Umar ne Puchha- Tum Waha’n (Hims) se Paidal chal ke aaye ho, Governor ho Kar,*
*★_ Ye Tamaam ohdedaaro ke Sochne ki Baat hai, Us Zamane me Ohda Akhirat ke liye, khidmat karne Ka naam Tha, Duniya sametne ke liye nahi Tha, Ohda koi mansab nahi Tha, Ohda Makhlooq ki khidmat Ka ek unwaan tha,*
*★_Farmaya- Sawaari Ka Maine Sawal nahi Kiya, Unhone Sawaari di nahi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Bahut hi bure Musalman hai’n Hims ke, Ek saal Unki khidmat ki aur Tumhe Sawaari bhi na di, Farmaya– Ey Umar Allah se Dar, Geebat na Kar Allah ne Geebat se roka hai, Wo (Hims wale ) Namaz padhte hai’n, Wo Musalman hai’n,*
*★•_ Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- bata'o Maal Kaha’n Hai ?Farmaya- mere paas koi Maal nahi Hai, Meri Saari Duniya ye hai Mera Thela, Hazrat Umar ne farmaya k inhe dobara bana'o Governor, Kehne lage- Umar Mai’n Governor nahi banunga, na Tere Liye na Tere Baad kisi khalifa ke liye, is Governori ki vajah se Ek Yahoodi ko Meri Zubaan se gaali nikal gayi, Ye Governori ki vajah se hua, Mai’n Aaj ke Baad kabhi Governor nahi banunga,*
*★_ Governor ese Hote they, Ohdedaaro ke liye Sunne ke qisse hai’n ye, Ek Musalman Governor ko Ek Yahoodi ke liye Zubaan per gaali aa gayi to farmaya aaj ke Baad governor nahi banunga, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Apne ek Aadmi se kaha- Ye 300 Asarfiya’n le jao Umair ke ghar, Chhipa kar rakhna, Dekho k Achchhe Halaat hai’n to Asarfiya’n waapas le aana aur dekho k Tangi hai to ye Asarfiya’n unko de Dena ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _. Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu Ka Maal lene Se inkaar ,*
*↬• Umar Raziyallahu Anhu Ke bheje hue Aadmi ne Teen Din Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu Ke Ghar Mehmaan ban kar Qayaam Kiya, Teen Din Tak Ek Roti inko khilayi jati, Teen Din Tak ibne Sa’ad aur Unki Bivi ne Faaka kiya ,Ek Roti Rozana pakti thi Ghar mai Wo mehmaan ko khila dete they, Teen Din ke Baad Hazrat Umair ne mehmaan se kaha- Hum to bade faake mai Tangi mai aa gaye ,Ab tum kisi aur Ghar mai chale jao, Ab Humse Faaka bardasht nahi ho raha Hai,*
*★• _ Khayal aaya, Ye ho raha hai inke Ghar me, Farmaya- Ye lo 300 Asharfiya’n Ameerul Momineen ne di hai Aapke liye, Hazrat Umair ne ek cheekh maari ,aur kaha- Ye Maal mujhe nahi chahiye, Waapas le jao, Bivi ne kaha – Yaha’n Muhajireen ki Aulaade hai’n, Wo Sahaba Jo gazwaat mai Shaheed hue Unki Bevae’n Aurte’n hai’n, Unme Taqseem Kar dena ,le lo , Umair ne kaha– mere paas to koi kapda bhi nahi Jisme in Asharfiyo’n ko rakhu, Mere Paas Koi Sandook bhi nahi,*
*★• _ Rivayat mai Hai Bivi ne Aage se Apna Daaman faad kar diya, Usme Asharfiyo’n ko baa'ndha,* Waha’n se foran Asharfiyo’n ko le Kar nikle aur Saari Asharfiyo’n ko Muhajireen mai aur Fuqra e Sahaba mai Taqseem Kar ke waapas aa Gaye, Haaris ye manjar dekh Kar waapas aaye ,Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Puchha Kya hua , Poora Waqi’a sunaya,*
*★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne dobara bulwaya Hazrat Umair ibne Sa’ad Raziyallahu Anhu ko, Ye aaye, Puchha- Tumne Kya kiya Maal Ka Jo Maine Tumhe bheja tha, Farmaya– Umar Allah ke liye dete ho fir Puchhte ho Kya Kiya, Tumhe Kya matlaba, Mai’n Janu Mera Rab Jane, Hazrat Umar ne kaha- Mai’n qasam de Kar Kehta hu’n Tumhe batana padega,*
*“_ Farmaya– Maine Aakhirat ke liye Wo Maal aage bada diya, Waha’n Zyada Zarurat hai,*
*★_ Sahaba Kiraam ke Waqi’aat hai’n K Badi Sakht zarurat Ka Waqt aa raha hai , Waha’n Kaam aayega ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Allah ne Maal ko Raddi bana diya (Not Bandi se),*
*↬• Aaj hum Bacha Bacha Kar rakhte hai’n Agli zarurat ke liye, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Us Badi Sakht Zarurat ke waqt ke liye Maal ko kharch karte they,*
*★•_ Allah ki Shaan dekho, Logo'n ne Maal ko Chhipa Chhipa kar rakha, Bacha Bacha Kar rakha, itna hi Nahi is Baat ki Parwaah bhi Nahi ki k Zakaat Ada karni hai, Allah ne Saare Maal ko Ek Raat me Raddi Bana diya, Tum Rakho Chhipa Kar,*
*★•_ Khuda ki Qasam Khaa Kar Kehta hu’n, iska ilzaam Hukkaam Per Nahi, Apne Per hai, Hazrat Farmate they– Hukkaam To Musallat kiye jate hai’n Hukm Todne walo per, Allah ne Chand Ghanto me Saara Maal Raddi Kar diya, Koi faqeer Jo Ek Rupiya Le Kar Khush ho jata tha, Hazaar Ka Not pakadne ko Taiyaar nahi hua,*
*★•_ Hazrat Hamesha Arz karte they- Jo Musalman Apne Halaat ko A’amal Se Nahi Jodega Wo idhar udhar jhaa'nkta firega, Ek Doosre ko ilzaam dega,*
*★•_ Chuna'che Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Umair ko 30 Sa’a Jov de do aur Kapde bhi de do, Hazrat Umair ne farmaya- Mujhe Jov nahi Chahiye, Galla mere Ghar me Aaj Ka Mojood hai, Kal ko Allah de dega, Galla Nahi Chahiye, Haa’n Meri Bivi ke paas Kapda Nahi Hai, ye Kapda Le Jata hu’n ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ ..Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ka Bachcho Se Pyaar nahi karne wale Ko Governor na Banana,*
*↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Ek Saathi ko Governori ke liye Chhaa'nta K Haa’n Aitmaad Ka Aadmi bhi Hai, Farmaya k jab Jaane Lago to Mujhse ilaaqe walo ke Naam Governori Ka khat le Jana, Umar Raziyallahu Anhu ne Ahadnama Likh Kar rakha, muhar lagayi, Dekho kitni barikiya’n dekhi jati thi, Yaha’n To Jisko Chaho Muntakhab Kar do,*
*★•_ Ye nikalne ke liye Taiyaar hue, Sawaari per Samaan rakha, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Paas Haazir hue, Aa kar bethe, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Governori Ka khat dene hi wale they k Achanak Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Paas Bachcha khelta hua aaya, Umar Raziyallahu Anhu ne usko uthaya, pyaar Kiya, Seene se lagaya,*
*★•_Ye Sahab Kehne lage– itna Kaam Aapke Paas hai, itne fikar me doobe hue Hote hai’n, itne Bade Aadmi fir bhi Bachcho Se Pyaar Kar rahe ho ? Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k Kya tum Bachcho ko Pyaar nahi karte ? Kaha– Nahi, Mai’n to nahi karta,*
*★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Ahadnama Utha Kar faada aur farmaya– Jao Apne Ghar ja Kar betho, Tum Governori ke qaabil nahi ho, Jo Apni Aulaad ko Pyaar nahi deta Wo Waha’n ja Kar Ri’aya ki Aulaad ko Kya Pyaar dega,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ .._Chhota Ban Kar Chalne Ka Kaam,*
*↬• Ye ( Dawat E Tablig ) Ka Kaam Taqwe ke Saath karne Ka Kaam hai, Bahut darte hue Karna Ka hai, Chhota ban Kar chalne Ka Kaam hai, Duniya ke kaam bade ban Kar kiye Jate hai’n, Dawat Ka Kaam Chhota ban Kar karne Ka hai, Tawazo ke Saath karne Ka hai ,*
*★• _ Abdullah ibne Mas'oud Raziyallahu Anhu farmate hai’n k agar koi Shakhs mujhe bajaye Abdullah Kehne ke, Bajaye Mas'oud Ka Beta Kehne ke Gobar Ka Beta Keh Kar pukaare aur iske badle me Allah mere Gunaah Ma'af Kar de, to mujhe ye Naam Zyada pasand hai, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Nek Naami aur Shohrat isko Jaante hi nahi they, Karamaat se bachte they,*
*★_ Madina Munawwara me Aag nikli, Esi Aag Jo Saare Madina ko Jala Kar khaak Kar deti, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya Tameem Daari Raziyallahu Anhu se k Tameem ye Aag nikli hai Pahaad se, Ja'o isko Pahaad me dakhil Kar ke aao, farmaya- Amirul Momineen Mai’n Kya Meri haisiyat Kya, Mere karne Ka Kaam nahi hai Kisi aur se kara lijiye, Farmaya nahi Tameem ye Kaam Tumhe Karna hai, Kehne lage Ye to Ek chingari hai Aag nahi, Ye Mushkil Kaam nahi hai lekin Mai’n nahi karna chahta,*
*★_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Puchha- Kya Baat hai ? Kyu nahi karna Chahte ? Kehne lage– Meri karamat zaahir ho jayegi, log kahenge ye Karamaat wale hai’n inke zariye Aag Pahaad me dakhil Hui, log mujhse milenge, mujhe pehchanenge ,*
*★• _Ese mukhliseen hua karte they, farmaya Aapka hukm hai to Mai’n hukm poora karta hu’n, Aag ko samet Kar le gaye aur Pahaad ki Khoh me dakhil Kar ke aaye,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ .. _Ummat Ban Kar Dawat Do,*
*↬• Hum is Dawat Ke Kaam me ikhlaas Se aur Taqwe se Chal sakte hai’n, Is Kaam ko Saleh, Saaf Dil rakhne Wale Chahiye, Sabse Pakiza Dil rakhne Wale, Gehraayi rakhne Wale, Saada Zindgi rakhne wale Chahiye,*
*★• _ Is Kaam me Apne Aapko qubool karwane ke Liye ye Buniyadi Baate hai’n Jo Maine Arz ki hai’n, Ek To Wus’ate Qalbi hona Chahiye K Har fard ko har Ek ko Dawat de’n, Ye Asal Cheez hai, Ummat banti hai infiradi Dawat Se, ilaaqayi, Qaumi, Biraadri ki buniyad per Dawat dene Se Ummat Nahi bana karti, in Tamaam Nisbato Se Huzoor Akram ﷺ ne Apni Ummat ko hataya hai,*
*★• _ Isliye infiradi Dawat aur Umoomi Dawat Khoob de’n, Aur Yaad rakho Allah ke Raaste me Ajnabi Logo'n ke Saath nikla Karo, Ajnabiyo’n ke Saath nikalna ye Akhlaaq ko Achchha Bana dega aur Qaum me Ba izzat bana dega,*
*★• _ Hadees Paak Ka Mafhoom hai farmaya Aap ﷺ ne k Allah ke Raaste me nikla Karo Apni Qaum ke alawa ke Saath, Akhlaaq Tumhare Ou'nche ho jayenge, Qaum me Ba izzat ho Jaoge,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ .. Qurb Qubuliyat Ki Alaamat Nahi,*
*↬• Apne Aapko Qurbaniyo’n Se qubool karwana hai, Kisi Ka qurb Mil Jana Qubuliyat ki Alamat Nahi hai,*
*★• _ Do Sahabi Hazrat Suhel ibne Amr aur Hazrat Haaris ibne Hisham Raziyallahu Anhum, Ye Dono Hazraat Umar Raziyallahu Anhu Ke Daaye Baaye aa Kar bethe, Kamra Khaali tha, Kehne lage Hume to Ameer Ka Esa Qurb mil gaya Hai k Hume Koi Yaha’n Se hata Nahi Sakta aur Hum Yaha’n Se ja Nahi Sakte,*
*★•_ Thodi Dair ke Baad aaye Maidano Se Mehnat kar ke, ilaaqo Se Waqt Poora Kar ke Ansar aur Muhajireen ki Jama’ate, Jo bhi aata inse kehte, Sohel Zara Pichhe hato, Haaris Zara Pichhe hato, inko aage Lao, Farmate hai’n Rivayat me Hai k Dono hat te hat te kamre ke Darwaze Tak Pahu'nch gaye, Waha’n bhi Muhajireen aur Ansar aaye to inhe Kamre se Bahar nikalna pada ,*
*★• _ Bahar Nikal Kar Dono Kehne lage Ek doosre Se, Dekho Aaj hamare Saath Kya hua hai, Hum Sabse Aage Bethe hue they Kamre Se Bahar Nikal Gaye, Lekin Wo bhi Sahaba they, Unhe bhi Maloom tha k Galti hamari Apni hai, Dono ne kaha Ameer Per iska ilzaam Nahi Hai, iska ilzaam hamare Apne per hai, Jab sab chale gaye, Ye Dobara dakhil hue, Kaha- Ameerul Momineen Hamare Saath Kya hua? Yu’n Farmaya Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne- Unko bulaya gaya Tha Taqazo Per Wo aa gaye, Tumhe bulaya gaya Tha Taqazo Per Tumne Dawat qubool nahi ki, Ye Tumse aage badh gaye, Tum Pichhe reh gaye,*
*★• Hazrat Suhel ibne Amr aur Hazrat Haaris ibne Hisham Raziyallahu Anhum Dono ne is Baat ka Aitraaf Kiya k Ameerul Momineen ilzaam hum per hi hai, Agar hum Maidane Mehnat me Hote To Aaj inke (Ansar aur Muhajireen ke) Saath Hote, Dono ne kaha ab ye bataiye, Kya Kare hum inke Saath kese ho sakte hai’n ? Inse aage to Nikal Nahi Sakte, Kam az Kam inke barabar hi aa Jaye’n, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Ye to Bahut aage nikal gaye, inke Saath Tum yaha’n Nahi ho sakte Lekin ye ho Sakta Hai k Tum kisi Mulk me Chale jao aur Waha’n Dawat ilallaah ki Mehnat me lage raho yaha’n Tak k Wahi'n Tum mar jao, To ho Sakta hai Qayamat me Tumhara Hashr inke Saath ho Jaye, Yahi'n Se chale jao abhi, Rivayat me Hai k Dono Mulk Chhod Kar Nikal gaye aur Allah ke Raaste me Ek moqe per Shaheed hue,*
*"_ Is Kaam me Aage Badhne Ka har Ek Ka Apna Maidaan hai, Har Ek Ka Maamla Uska Allah ke Saath Bara E Raast hai, Koi kisi ko na aage badha Sakta Hai na koi kisi ko Pichhe hata Sakta Hai,*
*★•_ Mehnat Ka Maidaan hai aur Saari Ummat matloob hai, Hazrat Farmate they- Jin Logo'n ko Allah Ta’ala ne is Kaam ki Samajh aur is Kaam ki Nisbat ata farma di hai, Unse Allah ki Taraf se Sawal Zyada Sakht hai K Tumne Jaan Kar bhi Nahi Kiya, Jo is Kaam Ko Nahi Jaante hai’n Unse Sawal Baad me hoga, is kaam ko Jaante hue Kaam ke Taqazo ko Muqaddam Nahi rakhne walo Se Sawal Pehle hoga,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ ..Saari Ummat Ek Jism Ke A’aza Ki Tarah Hai,*
*↬• Masla Apni Zaat Ka Nahi Saari Ummat Ka hai, Saari Duniya ki Bikhri Hui Ummat Ek Jism Ke A’aza ki Tarah hai, Pair Ka Zakhm Pair Ka Nahi hai Poore Badan Ka hai,*
*★•_ Ek Mulk me Ek Musalman bhi Namaz chhodne Wala agar hai To Hume Neend Nahi aani Chahiye is zakhm ki Vajah se, Hadees Paak Ka Mafhoom ye hai, Saari ki Saari Ummat Ek Jism ke A’aza Ki Tarah Hai, Pair ke Zakhm Se Aa'nkh jaagegi, Saara Badan bechain hoga, Saare Badan me Bukhaar aayega, Ye Pair Ka Zakhm Nahi Poore Badan Ka Zakhm hai,*
*★• _ Isliye Ummat ki Zimmedari Ba Aitbaar Aalam ke hai, Apne Aapko Qurbaniyo’n Se Qubool karwana hai, Jis Satah Per aa gaye hai’n, Jis Satah Per Dawat ka Kaam karne wale Pahu'nch gaye hai’n, ye koi Satah Nahi Hai, Hamara Nishaan, Hamari Manzil Muhammad ﷺ Apne Sahaba ko Jaha’n Chhod Kar gaye hai’n Wo Hamari Manzil hai, Waha’n Tak Pahu'nchna aur Ummat ko Waha’n Pahu'nchana Ye Hamari Zimmedari hai,*
*★• _ Isliye Ye Baat Poore Aalam ke Aitbaar Se Arz Kar raha hu’n, Jaha’n Jao Waha’n Walo ko bhi bata'o k is Kaam ke liye har Ummati se Tihaa’i ( 1/3 ) Mutalba hai, aur isko zyada mat Samajhna Ky'unki Ye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Qurbaniyo’n ki Sabse Adna Satah hai, Darmiyani Satah Aadha Maal Aadhi Jaan aur Adna Satah Tihaa’i Maal Tihaa’i Waqt, Hum Sabhi azm Kare k hume Waqt dena hai aur Ummat se Mutalba bhi Karna hai,*
*★• _ Jis Cheez Ka Mutalba Nahi karoge Uski Himmat Apne Andar kabhi Paida Nahi hogi, Ye mat Samajhna k Jab Khud Nahi karte To Doosro ko kyu Dawat de'n, Ye is Zamane ki Sabse badi Galat fehmi hai k Pehle khud Karo fir Dawat do, Esa Nahi Hai Kyunki na karne Wala Dawat dene Ka Zyada Mohtaaj hai, Jo Jitna Faqeer hota Hai Uske Sawal me Utni Zyada Mohtaajgi hoti Hai ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ ... Is Ni’amat Ka Shukr Karo,*
*↬• Is Kaam Se Adna Nisbat rakhne wale ko bhi chahiye k Wo har Aan har Lamha Un Mushkilaat, Un Takaleef Us Faqr aur Us Pyaas aur Us Garmi aur Us Sardi aur us Khof ko dekhe Jisse Anbiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum guzre hai’n,*
*★• _ Har Kaam karne wale ki Nazar is Kaam ke karne me Sahaba ki Takaleef Per Nahi Hai to is Zamane me Hidayat ke Haasil karne ke Liye un Takaleef se guzarne per Ummat inkaar bhi Kar degi aur Jo guzrenge Wo Shikayat karenge,*
*★• _ Hala'nki Ye Allah Ta’ala Ka dastoor hai k Sabse Zyada Gam me ibtila me Anbiya ko rakha hai fir Jo Anbiya Alaihissalam ke Kaam ke Jitna Qareeb ho'nge Unke aitbaar se Allah Ta’ala Un per Halaat layenge,*
*★•_ Is Per Allah Ta’ala Ka intehayi Shukr Ada Karna Chahiye Humme Se har fard ko k Ey Allah ye Tera kitna bada in’aam hai k Tune is Zamane me is Ummat E Muhammadiya ke Ek Chhote Se Majmu’e ko un Takaleef ki Taraf Mutavajjah Kiya hai Jisse Tune Anbiya, Sahaba ko guzaara hai,*
*★• _ Kabhi Khayal aaya k is Ni’amat Ka Shukr Kare ? Log Aulaad ke Milne per, Karobaar ke Chalne per, Muqadmaat ke Hal hone per, Qarz ke Ada hone per Shukr karte hai’n, Kabhi Khayal aaya ho k is Raaste me koi Takleef Garmi ki ya Sardi ki, Bhook ki ya Pyaas ki koi Takleef aayi ho aur us Per kisi ne Allah ka Shukr Ada Kiya ho ?*
*★_ Hamesha Yaad rakho Jo is Raaste ki Takaleef Per Shukr Nahi Karega Allah ka, Wo Bando Se Shikayat Karega, Agar is Raaste ki Takaleef Per Ahatsaab Kam ho gaya To Kaam ke Taqaze Mutassir ho'nge, Agar Ajar ki Ummeed Kam bhi ho gayi To is Raaste ki Takaleef se Log inkaar Kar de'nge _,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Sahaba Kiraam Ka Tareeqa E Mehnat ,*
*↬• Rivaaj aur Zamana Hume Sahaba Kiraam ke Tareeqa e Mehnat se, Uski Seerat se Ye Keh Kar Door Karega k Us Zamane me Deen Ke felne Ka Tareeqa Wo Tha, aur is Zamane me ye hai, Nahi ! Khuda ki qasam, Jis Tarah Muhammad ﷺ ke Ek istinje ki line ki Sunnat, Aap ﷺ ke Vazu ki Ek Miswaak ki line ki Sunnat Qayamat Tak Badal nahi Sakti, Isi Tarah Aapki Sunnte Dawat bhi Qayamat Tak badlegi nahi, Jis Tarah Aapki Sunnte Adaat Saabit hai’n Usi Tarah jis Kaam ke liye Aapko bheja gaya hai us Kaam ke Tareeqa E kaar Ka bhi koi muqabil nahi,*
*★• _ Har Kaam karne Wale ke Zehan me Ye Baat rahe k Kaam Meri Chahat, Meri Raay, Mere Tajurbaat per Nahi hai, Kaam Muhammad ﷺ aur Aapke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Tareeqa E Mehnat Ka Naam hai, isliye har Kaam Karne wale ki Zimmedari hai k Apni koshish se Us Tareeqa E Mehnat Per khud Bhi jame aur Doosro ko bhi is per Amaada Kare,*
*★• Ye mat kaho k is Zamane mai Ummat ye Nahi Kar sakegi, Kuchh Taajir hai’n, Kuchh Zamindaar hai’n, Kuchh Daftar wale hai’n, Inka bhi Sochna chahiye, inki Ri'ayat ke aitbaar se kaam karna chahiye, Khuda ki qasam, Dawat ki Mehnat me Kabhi bhi kisi Qaum, Shobe ki Ri'ayat ye Soch Kar Nahi ki gayi k ye is Shobe se mutalliq hai’n, Ye Kaam Nahi Kar sakenge, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum in Tamaam Shobo ko Chalane wale they, Ohde, Tijarat, Zara’at, Sarmayadaari, Bade bade Karobaar karte they, Export bhi hota Tha, Import bhi hota Tha ,Esa nahi hai k Jo Tijarat ke moqe is Zamane me Logo'n ko mile hue hai’n us Zamane me Nahi they,*
*★• _ Badi badi Tijaarate Sahaba ki hua karti thi, Bade bade Qaafile Tijaarati Samaano se lad Kar jate they, Baahar Se lad Kar bhi aate they, Lekin Sahaba Kiraam ki Poori Zindgi me Kahi'n Nahi milega k Taajiro ke liye Kaam Ka ye (Alag) Tareeqa hai, Padhne Padhane walo Ka ye Tareeqa hai, Nahi, Balki So fisad Sahaba Duniya ke So fisad Shobe chalate hue Deen ki Mehnat ki Ek Satah Per Sab mujtama they, Isliye Tareeqa E Mehnat Wahi hai Jo Tareeqa E Mehnat Sahaba Kiraam Ka Tha,*
*★•_ Jab Tak Ummat Us Tareeqa E Mehnat Per Nahi aayegi Hidayat ke Faisle nahi ho'nge, Imaam Maalik Reh. Ka Qaul hai – is Ummat ke Baad wale sudhar nahi Sakte jab Tak Ummat Wo na Kare Jo Ummat ke Pehlo (Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum) ne Kiya hai _,”*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Dawat Ke Zariye Yaqeen Ko badalna ,*
*★• Sabse pehle Dawat ki Mehnat ke zariye Apne Yaqeen ko badalna hai, Is Yaqeen ki Tabdeeli Ka amr aur is imaan ki taraqqi Ka Hukm khud Momin ke liye hai, Farmaya- "imaan Walo imaan lao,” Ye Allah ka Hukm hai, Namaz padhna Allah ka Hukm hai, log Jaante hai’n Namaz kaise padhi jati hai, is Amr ko kaise poora Kiya Jata hai, Jis Tarah Namaz padhna Allah ka Amr hai, Jis Tarah Namaz Ka Amr Ek Martaba kar ke khatm Nahi ho jata, Balki Namaz ke Baad agli namaz hai Bilkul isi Tarah Allah per imaan Lana bhi Allah ka Esa Amr hai k Maut Tak aur Qayamat qaa’im hone Tak Momin ko Allah Per imaan Lane se faragat Nahi hai,*
*★•_ Sawal is Baat Ka hai k Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum is Amr ko Poora kaise karte they, Jab Aapne Farmaya Sahaba Kiraam Se Apne imaan ko Taza karte raha Karo, Shaba ne arz Kiya- kaise Kare ? Farmaya– Laa ilaaha illallaah ko Kasrat se kaha Karo, Is Kasrat Ka Kya Matlab hai ? Is Kasrat Ka Matlab Sirf infiradi Zikr Nahi Hai, Balki infiradi Zikr ke Saath Saath is Kasrat Ka Matlab Jitni Saari Kaaynaat Maaddi Shaklo Se, Maaddi Cheezo Se Duniya ke Naqsho Se bhari Hui hai, in Tamaam Cheezo Ka Kasrat ke Saath inkaar Karo aur Ba Kasrat Allah ki Toheed Uski badayi ko Bayan Karo,*
*★• Namaz Ka Amr Allah ka Amr hai Jisko Masjid me aa kar Ada Kiya Jata hai Bilkul isi Tarah Allah Ta’ala Per imaan Lana Allah ka Amr hai, is imaan Ko Seekhne ke liye isme Taazgi baqi rakhne ke liye, Musalmano ko Rozana Masjido me imaan Ke Halke qaa’im karne honge Aur Masjid Ke Baahar faili Hui Tamaam Maaddi Shaklo Se Musalman ko ye Samjha Kar k in Shaklo Se Palne Ka Talluq Nahi hai, Allah Ta’ala se Palne Ka Talluq hai,*
*★•_ Is Yaqeen per imaan wale ko Masjid ke Bahar ke Mahol se Nikaal Kar masjid me imaan ke halqo me Allah ki Zaat se hone, Allah ke gair se na hone Ka Yaqeen Sikhlane ke Liye inhe masjid ke mahol me Gashto ke Zariye Lana Aap ﷺ ke hukm ko poora karne Ka Tareeqa hai, Jo Aapne farmaya hai k Apne imaan ki Tasdeeq karte raha Karo,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Dil mai Utaarne Ka Naam Tablig hai,*
*↬• Hume Apni Masjido'n ko Amal aur Mehnat ke aitbaar se Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke mamool per Lana hai Ky'unki Baat Ka Pahu'nchana Tablig nahi Hai, Chalte firte Kaan me Baat daal dena Tablig nahi Hai, Farmate they Hazrat ji Maulana Ilyaas Sahab Reh. Dilo'n me utaarna Tablig hai, Tum Dilo'n me Utaarne ke Asbaab akhtyar Karo, Hidayat Allah ke haath me hai,*
*★• _ Iska Matlab ye hai k Dilo’n me Utaarne ke liye makhsoos jagah hai, Aap Jaante hai’n Joota fat Jaye to Mochi ke paas jana padega, Aap Jaante hai’n Bimaari aa Jaye to Hospital Jana padega, Mukhtalif Department ke ek kaagaj per sign karane ke liye, mamooli se kaam ke liye Safar Kar ke Fala'n department me Jana padega, Duniya ke Mamooli Kaam Apne Thikaano ke bager nahi Hote to Allah ka Talluq Allah ke Ghar ke bager kaise haasil ho jayega,*
*★• _ Hume Sahaba Kiraam ki Mehnat me Sabse Buniyadi Cheez ye milti hai k Sahaba Sahaba ki Khushamad karte they, imaam Bukhari Reh. ne To Saabit kiya hai Ma’az bin Jabal Raziyallahu Anhu Ke Amal se k Ma’az bin Jabal Raziyallahu Anhu ye farmaya karte they Sahaba Se k Aao Thodi Dair hamare Saath betho Masjid me Apne Rab per imaan laye'n_," Ye Sunnat Tareeqa hai Ummat ki Tarbiyat Ka,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Asal Tarbiyat Ki Jagah Masjid Hai,*
*↬• Ummat ki tarbiyat aur Ummat ko Allah Se Jodne ke liye Ummat Ka Waqt Masjid me guzre, Sirf Namaz ke liye Nahi balki Masjid Deen ki Tamaam Zaruriyaat ko aur Deen Ke Tamaam Taqazo ko Poora karne ki Jagah hai,*
*★•_ Allah ke vaade yaha’n Suno, Masa’il Yaha’n Seekho, Ulma ko Chahiye k Ek Masjid ke imaam Se Le Kar Saal lagaye hue Ulma Tak, Ye Masjid ko Waqt de'n aur Masjid me Aane wale har Shakhs ki Vazu se Le Kar Namaz Tak aur Uske Aqaa’id aur imaan ki Taleem ki fikr Kare'n,*
*★• _ Yahi Huzoor Akram ﷺ Ka mamool tha k Aap Masjid me Aane wale ka Vazu bhi dekhte they, Namaz bhi dekhte they, Namaz khud sikhlate they, Namaz ki Nigrani khud karte they, Masjide Esi Nahi thi k Ek Shakhs imaniyaat se, Fara’iz se, Deen Ke Ahkaam se Nawaaqif ho aur Masjid me aa kar Namaz padh Kar Chala Jaye, Esa nahi Tha, Kisi ko Masla Seekhna hai, Kisi ko Kalma nahi aata, Kisi ko Namaz Seekhna hai, Masjid Deen Ke Tamaam Taqazo aur Deen Ke Tamaam Ahkaam ke Seekhne ki jagah thi, Asal Tarbiyat ki jagah hi Masjid thi,*
*★•_ Masjid se Be Talluq hona, Ye Allah se Be Talluq hone ki Asal Vajah hai, Kyunki Hadees me aata Hai Jo Masjid se ulfat rakhta Hai Allah usse Ulfat rakhte hai’n, Hamare Gashto Ka Asal Maqsad ye hai k Kisi Tarah Musalman Ko Masjid ki Taraf le kar aana hai, Masjid me Rehna Allah ka Mehmaan Ban kar Ye Aadmi ke Dil ko Mutassir karta Hai,*
*★• _Hazrat Tufel bin Amru Dosi Raziyallahu Anhu jab Makka Mukarrama aaye, Quresh ne kaha Tufel Na Muhammad ﷺ ki Baat sunna na Unse Baat Karna, farmate hai’n Maine Kaano ko Roo'i se Band Kar liya, Aapki Baat sunna nahi chahta tha, Lekin Allah Sunwa Kar raha, Maine Masjid me Qadam rakha Dil ki kaifiyat badli, Dil ne kaha –Tufel padha likha Aadmi hai, inki Baat sunna Chahiye, Maine Kaan se Roo'i nikaali, Aapki Baat suni, Islam qubool Kiya aur Apni Qaum ko Dawat de Kar 80 gharano ke imaan me dakhil hone Ka Zariya bane,*
*★• _ Ek Fard ko Jisne Masjid me aa kar Baat suni Allah ne unko 80 khandaano ke imaan me aane Ka Zariya banaya, Tarbiyat maqsood hai, Nashro isha’at nahi, Tarbiyat Mahol me hoti Hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Dil Mutassir Kyu nahi Hote ?,*
*★• _ Musalman is Raah mai Firne Ka agar Maaddi Cheezo ko Badal samajh lega to insaan waahid Mujahida karne wali Makhlooq hai Uska Mujahida khatm ho jayega, Yahi vajah hai k Musalman Ki Mehnat Duniya ke liye aur Deen ki Nashro isha’at me Akhbaar v Risaalo aur isse bad Kar Net, Mobile me islam Daal Diya gaya Hai aur Ye Taajir ban Kar Maal ikattha karne me laga hua hai,*
*★_Aapne farmaya Mujhe is Baat ki Wahih nahi ki gayi k Mai’n Taajir ban Kar Maal ikattha karu, Quloob mutassir isiliye nahi Hote k Sirf Paigaam Pahu'nchane ko Tablig samjha hua hai, Is Dawat v Tablig Ka madaar aur is Mehnat ki buniyad Khuda ki qasam Sirf Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Seerat aur Sahaba Kiraam ki mushabhat hai, isse niche Kaam nahi hai, Kisi bhi Zamane ke Tareeqa e Kaar se ,Alaat aur Sahulato se Tablig ki gayi to Mujahide ki Sifat khatm ho jayegi To Hidayat ke Faisle bhi nahi ho'nge,*
*★•_ Haa’n Duniya hai Duniya, Duniya ke liye Duniya ki cheeze munasib hai’n Lekin Deen Ke Liye to Dawat Yani Aapka aur Aapke Sahaba Ka Tareeqa e Mehnat hi Muta’iyan hai, Ye Dawat Ka Kaam koi Tanzeem nahi Hai, Ye Dawat hai aur Dawat Tareeqa e Muhammad ﷺ Ka Naam hai, Aapke Tareeqa e Mehnat Ka naam Dawat hai,*
*★•_ Agar Dawat ko Muhammad ﷺ aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Tareeqa e Mehnat ke Tareeqo se margoob nahi karoge to Duniya ki Rivaaji Cheeze aur Alaat internet, Computer aur Mobile ye Tablige Deen Ke Liye Asal ban Kar reh jaye'nge aur Musalman ki Apni Mehnat Jo Asal Johar hai, Wo is Kaam ko Chhod bethenge,*
*★• _ Yahi vajah hai k is Zamane me Naqal Harkat se zyada Nashro isha’at, Rasaa’il, Alaat internet Computer aur Mobile ki taraf log maa’il hai’n, Hala'nki us Zamane me Nashro isha’at ke zaraay- Hote hue bhi, Daak Ka nizaam tha, Ek Manzil se Doosri Manzil Daak Jaya karti thi, Fir bhi Huzoor Akram ﷺ ne Sivaye Chand Badshaho ke kisi ko khat likh Kar Dawat nahi di, Aapne Jama’ate bheji hai’n, Unhone Mehnat ki hai, Allah Rabbul izzat Daayi ki Mehnat, chalat firat, koshish aur Daay’i ke Sabr ko Qaumo ki Hidayat Ka zariya banate hai’n, Ye Allah Ta’ala Ka dastoor hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ ILM Ulma Ki Sohbat me Haasil Karo,*
*↬• Jab Ek Shakhs ilm ke liye ya Doosre Tak ilm Pahu'nchane ke liye Jata hai, Uska Mujahida uske ilm ko doosre ke liye Mo’assir banata hai,*
*★• _ Tarbiyat Maqsood hai, Tarbiyat Mahol Se hoti Hai, ilm ke Saath Tarbiyat chahte ho Allah ne Madaris banaye, ilm Ulma ki Sohbat se haasil Karo, Ye Nahi k ilm Kitaabo me, aur ilm Nashro isha’at ki cheezo me aa gaya hai to Ab Ulma ki Sohbat ki zarurat nahi hai, Ulma Ki Sohbat ke bager Malumaat to haasil ho sakti Hai, Deen aur Tarbiyat haasil nahi ho sakti, Isi tarah Deeni Madaris aur Waha’n ki Pabandiya’n, Waha’n Ka makhsoos mahol, Waha’n Ka makhsoos ma'mool, Waha’n ke Muta’iyan mamulaat ilm ke Saath Tarbiyat ke liye Laazim hai’n,*
*★•_ Bilkul isi tarah Hidayat ke liye Allah ka Talluq Paida Karne ke liye, Allah ke Bando ko Allah se Jodne ke liye Masjid Ka Mahol Muta’iyan hai, Pehle ilm ke Halqe Masjido me hua karte they, Zaruriyaat E Zamana ki vajah se ilm Masjid se nikal gaya, Suffa Madarsa nahi Tha, Suffa Qayaam Gaah tha, Masjid Darsgaah thi, Suffa Masjid ke Bahar Ka hissa hai yaha’n Qayaam hota Tha Fuqra E Sahaba Ka, Masjid me Taleem hoti thi, Masa’il Yaha’n Sikhaye Jate they, Faza’il Yaha’n Sunaye Jate they,*
*★_ Isliye Ye Baat Amaanat hai, Khud Apni Zaat Se Amal me Lane ki Koshish Kare aur Doosro Tak Pahu'nchaye K Masjid ke Mahol me la Kar Baat ki Jaye ,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ Hidayat Ka Vaada A’amaale Masjid me,*
*↬• Masjid me la Kar Baat ki Jaye, Mai’n nahi Kehta k Majboor Kiya Jaye, Kisi ko khee'ncha Jaye, Ye Hamara Kaam nahi hai, Albatta Khushamad Karo, Sahaba Kiraam ki Khushamad dekho k Umar Raziyallahu Anhu Jese Sahabi Ek Ek Ka haath pakad Kar Khushamad karte Thodi Dair ke liye Masjid me aa jao, Kyu'nki Ye Baat Yaqeeni Baat hai -Jo Masjid ke Mahol me aa kar Baat sunega To Wo Farishto ke paro me Baat sunega,*
*★• _ Hazrat Ji Reh. Farmate they- Yaha’n Farishto ke Paro se Hidayat Ka Noor is Tarah aayega Jis Tarah Murgi ke Paro se Ando me Hayaat aati hai _,”*
*•_ Agar Murgi ke Paro Se Ando me Hayaat aa sakti Hai, Jaan daalna Allah ka Kaam hai ,Sabab Murgi ke Par hai’n, Khuda ki qasam ye to ho Sakta Hai k Ande gande ho Jaye, Ek ande ke andar Bachcha paida na ho, Lekin Esa nahi ho Sakta k Masjid me Farishto ke Paro me rahe aur Hidayat ke Faisle na ho,*
*★• _ Allah Ta’ala ne Hidayat Ka Vaada A’amale Masjid Se khud kiya hai, farmaya- “_Ye Wo ho'nge Masjid ko Abaad karne Wale Hum inke Dilo’n Se Gair Ka Khof nikaal de'nge aur ye ho'nge Hidayat yaafta _,”*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ Masjid Amal Se Kyaali Na Ho,*
*↬• Huzoor Akram ﷺ Ka ye ma'mool tha k Aap Naye aane walo ko Masjid me rakhte they, Chor se chori Hui Masjid ke sutoon se baa'ndh diya Taaki iske Dil me Chori se Nafrat Paida ho Jaye, farmaya- inko Masjid me rakho, A’amale Masjid inke Dilo’n ko islam ke liye Naram kar de'nge, Ye Hikmat thi,*
*★• _ Hamare Gasht is Tarah Ho'n k Gasht ke Dauraan Masjid Amal se Khaali na ho, Masjid Saathiyo’n se Khaali na Chhodo, Ye Khilafe Sunnat hai k Sab ke Sab Nikal Jaye'n Mulaqato me aur Masjid Amal se Khaali ho, Sahaba Kiraam ke Zamane me Masjid me Chand Saathi hua karte they, Aane walo Ka Istaqbaal Karna Seerat Se Saabit hai, Aane walo ko Samjhana Seerat Se Saabit hai, Aane walo ko Taleem dena Seerat se Saabit hai,*
*★• _ Masjid me Taleem ho rahi hai aur Bahar Koshish ho rahi hai, Ye Sahaba ke Waqi’at Hume Kaam Ka Tareeqa Samjha rahe hai’n, Masjid me Taleem ho rahi hai aur imaame Muhaddis Abu Huraira Raziyallahu Anhu Bazaar Se Logo'n ko Taleem Me bhej rahe hai’n, Waapis aane walo ko Dobara bhej rahe hai’n, Ye nahi k Keh diya Jisko Jana ho Chala jayega, Dawat di, Mutavajjah Kiya, Chhod kar nahi gaye, intezar Kiya, Sahaba wapas aaye, Wapas bheja Jao Waha’n Taleem Ka Halka laga hua hai, Waha’n Muhammad ﷺ ki miraas Taqseem ho rahi Hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ . Hamare Gashto Ka Maqsad ,*
*↬• Abhi Tak Hamara Kaam in Gashto ke Zariye Maqsad Tak Pahu'nchne Wala hua hi nahi hai, Ek Musalman Ko Allah Se Milana, Usko Fara’iz Se Milana, Usko Masjid ke Mahol me rakh Kar Usko Andar se Badalne ki fikr Karna, Koshish karna, Abhi Tak Hamara Gasht is maqsad Tak nahi aaya, Abhi Tak Zahan me Mulaqaate Baraye Mulaqaat hai’n,*
*★•_ Ek Sahab Kehne lage, Meri Dukaan per 20 Saal se Gasht hota hai, Log aate hai’n, Baat Sunte hai’n, Mulaqaat Kar ke Baat Sun Kar log Ghar chale Jate Hai’n, 20 Saal ke Baad ek Esi Jama’at aayi Jisne kaha- Hum Aapse Baat Karna chahte hai’n Lekin Aapse Darkhwast hai k Hamari Baat Masjid me Chal Kar suno,*
*★_ Masjid me Kyu?Yahi’n kar lo, Jama’at ne kaha -Agar Hum Aapko Apne Ghar Bulate To Kya Aap ye kehte k Khana yahi’n bhej do ? Aap Khush Hote aur Hamari Dawat qubool karte, Aap aane se inkaar nahi karte,” Maine Kaha- Ji Sahi Baat hai, Jama’at ne kaha- Jab Aap Mere Ghar aane se inkaar karne me Sharma rahe hai’n To Allah ke Ghar me aane se kya inkaar hai ?*
*★_ Ye Esi Baat Kahi Jama’at ne k Mera Sar Sharm se gad gaya Mai’n Sar nahi utha saka, Le Kar aaye Masjid me, Mujhe Wazu karaya, Le Kar bethe, Kehne laga Khuda ki qasam is Waqt Meri 60-65 Saal ki Umr hai, Ye Meri Zindgi ka Pehla moqa hai k Maine Aapki Barkat Se Aaj Allah ke Ghar me Qadam rakha hai, 20 Saal se Gasht hota Hai, 20 Saal se Gasht karne walo ki Baate sunta hu’n, Lekin mujhse kisi ne nahi kaha k Masjid me Chalo, Meri Zindgi Ka Pehla Din hai ye k Maine Allah ko Sajda Kiya hai, Agar is Haal me Mar Jata to Kya hota ?*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _ . _Sunnate Dawat,*
*↬• Sunnat Kya Hai ? Ye Sunnate Sirf Adaat ibadaat hi me nahi hai’n, Sunnate Dawat bhi hai, Jitne Ummat per Halaat hai’n, Fitne hai’n, Qarzo ke, Qahat Saaliyo’n ke, Muqadmaat ke, Bimariyo’n Ke ye Sab Allah ke Gusse ke mazahir hai’n, Allah ke Gusse ke Asbaab hai’n Aur Masjid ko Abaad karne walo Se Jo Azaab Jo muqaddar ho chuka hai Allah usko hata dete hai’n,*
*★• _ Hazrat Farmate they- Ese Gasht Kiya Karo Jese Sailab Se Logo'n ko bacha bacha Kar Nikaal Nikaal kar khushki me laya Jata hai, Zalzala Kahi'n aa Jaye to Malbe se dabe hue Logo'n ko bacha Kar Khee'nch Kar Nikala Jata hai, Is Fikr Se Gasht Kiya Karo Goya Bahar Ka Saara Mahol Wo Nuqsaan me Ummat ki halakat Ka mahol hai, Jaha’n se Musalman ko kisi Tarah bacha Kar Allah ke Ghar me dakhil Karna hai _,”*
*★• _ Isliye hamare Kaam Ka Asal Maqsad ye hai, Tareeqa ye hai, Kyu'nki Baat pahu'nchana Kaam Nahi hai, Tarbiyat Kaam hai, Aur Tarbiyat ki jagah Masjid hai, Sahaba Kiraam ke Waqi’aat ko khoob gor se dekho, Khoob gor se padho, Agar koi Yu’n Keh raha hai k Fala'n yu'n Keh Raha hai to Yu'n bhi kahoge k Fala'n ye bhi keh raha hai, Fala'n ye bhi Keh Raha hai, Seerat dekhoge to Kaam per Basirat badegi, Kaam karne walo ko chahiye k Jo Arz Kiya ja raha hai use khud Sahaba ki Seerat me dekhe, k Sahaba Kiraam Ka Tareeqa e Mehnat Kya Tha ?*
.*★_Gasht imaan ke Halqo per Jama karne ke liye hua karta tha, Imaan Ke baad Doosra Fariza Namaz hai, Namaz ki Adaygi per Ummat Ko Lana, Masjid me aane walo ko le Kar betho, Khushamad Karo, Namaz Ke Vaade bataao, Thodi Wa’eede batla do, Namaz Nahi padhni aati hai to sikhla do, Ye Sunnat hai, Aap ﷺ Namaz khud sikhlate they, Aap mashgool Hote to Sahaba Namaz sikhlate they,*
*★•_ Umar Raziyallahu Anhu Minbar se Attahiyaat is Tarah sikhlate they Jese Bachcho ko Huroof ki Talqeen ki jati hai, Is tarah Hume Namaz ki Adaygi per Ummat ko Lana hai, Hamara Kaam Sirf Targeeb Dena nahi hai, Targeeb Amal ki taraf aane ke liye hai, Amal ki Taraf lane ki koshish Dawat hai, Targeeb Dawat Ka ek Juzv hai, Tablig Sirf Targeeb nahi hai,*
*★• _ Humne Sirf Targeeb per Kaam ko Chhod Kar Taleem aur Ada e Fara’iz se Hum Gaafil ho gaye, Mujhe Sachchi Sachchi bataao k Aap kitno ko Apne Gasht ke Zariye Amaada karte ho k Aapke ilaaqe me Madarsa hai ilm Seekho, Aapke ilaaqe me Ulma hai’n, Kya Aap Unki Majlis me Jate hai’n, Humne itne Gasht kiye, Kitne Bachche madarse me aa Gaye ? Kitne Badhe Masjid me Qur’an seekh rahe ? Hamari Mehnat se Kitne log Ulma ke Halqo se wabasta hue ,?*
*★•_ Tablig ko Targeeb per Esa Mehdood Kar diya hai k Amal ki Taraf koi Tavajjoh nahi hai, Targeeb ko Kaam Samajh liya hai, Agar ye Mizaaj ban gaya to ye Kaam guzargaah ban kar reh jayega, Log Targeeb Sunte Sunte ukta jayenge, Kisi Amal ki taraf nahi aayenge,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Namaz ko Yaqeen Per Lana,*
*↬• Hairat ki Baat hai Duniya ke Maamle me baqi ko dekhte hai’n Aamdani ko Nahi dekhte aur Deen Ke maamle me Aamdani ko dekhte hai’n baqi ko nahi dekhte, Kesa Ulta Nizaam hai Aur yahi vajah hai Ilm ke mahol me Hai’n to samajhte hai’n ilm Bahut Fail raha hai, Nahi ! Jahal ke Mahol me Jao to Pata chalega k Ummat Masjid ke Saaye me rehte hue Kalma E Laa ilaaha illallaah se Nawaaqif hai, Masjid ki Zameen per Dukaan hai, Namaz nahi Padhta hai,*
*★•_ Socho to Sahi Apne Ghar me Khane per bulayega to Das Chakkar lagayega, Pair pakad lega, Khushamad Karega, Aapke bager to Mai’n Dawat karunga hi nahi, Lekin Tablig me aata hai To Bas Targeeb de do Amal karna na Karna uska Kaam hai, Nahi ! Balki Hume koshish Kar ke Ummat ko Allah ke Fara’iz per Lana hai, Hume Samjha Kar Masjid ke Mahol me Lana hai, Log Samajhte hai’n isse log ukta jayenge, Nahi Jo Allah ke Bando ko Allah Se Jodne ki koshish karta Hai Allah Uski Koshish ko Zaaya nahi farmate,*
*★•_ Sabse Pehli Baat ye hai k Namaz ko Yaqeen per laao, Namaz ki Dawat Saare maaddi Asbaab ke muqable me do, Hazrat farmate they -Namaz aur Dukaan Ek Saath yaqeen me jama Nahi ho sakte, Ye kehna k Namaz bhi hai Dukaan bhi hai, Yahi kehna Dilo’n se Namaz ke Yaqeen ko Nikaale hue hai, Yu’n Kaho Namaz hi hai Dukaan nahi hai, Dukaan gair Yaqeeni hai ,Namaz Yaqeeni hai ,*
*★•_ Namaz padh Kar ye mat Samajhna k Mai’n Namaz per Yaqeen Wala ho gaya hu’n, Dukaan band Kar ke Namaz per Jaye to ye mat Samajhna k Mai’n Namaz per Yaqeen rakhne Wala ho gaya hu’n, Allah Rabbul izzat is Namaz ke Yaqeen Ka imtihan lene ke liye Ese Halaat layenge k ye Namaz ke liye Masjid ja raha hoga, Abhi masjid ke qareeb darwaze per pahu'nchega Pichhe se koi aayega k Aapke Ghar per is Mulk ke Wazeere Aazam Bager ittela ke aa gaye hai’n, Aapko bula rahe hai’n, Khuda ki qasam agar ye Soch le yaha’n k Jama’at ki Namaz Farz Nahi Sunnat hai Baad me Tanha padh le'nge, Khuda ki qasam isne Allah ki Badshahat Ka inkaar Kar diya, Allah ke hukm ke muqable me Ek wazeer ki Wizarat ko Tasleem Kar liya ,*
*★• Baat ye nahi hai K Namaz Baad me bhi ho sakti hai, Agar imaan hai Dil me aur Yaqeen hai Allah ki zaat per To Keh dega k aa Jaye'n Masjid me Mulaqaat ke liye, Agar Nahi To intezar Kare Hum Namaz padh Kar aayenge, Khuda ki qasam Agar Ummat Ka Ek Majmu’a is per aa Jaye To Mai’n Allah ki So martaba qasam kha Kar Keh Sakta hu’n k Saari Baadshahate Tumhare pairo per aa Kar padengi, Tum Apna Sar rakhe hue ho gairo ke saamne,*
*★•_ “Maulana Ilyaas Sahab Ka malfooz hai – Jitne Deen per chalne Ka Momin ko akhtyar haasil hai, Agar isme isne Hukm poora nahi kiya, Jisme Akhtyar haasil nahi Allah apni madad nahi karenge ” Tum khud Amal me Pichhe ho, isliye Namaz ko Yaqeen per laao, Namaz ko Yaqeen per Lana koi Taqreer karne ki Cheez nahi hai, Namaz ko Yaqeen per lane Ka Matlab ye hai k Tu Jaha’n jis Haal me bhi hai Us Haal me Hukm ko poora Kare,*
*★•_ Ek jagah Meeting chal rahi thi, Kuchh Agyaar bhi they meeting me, Azaan ki Awaaz aayi, Meeting Chhod kar khade ho gaye, Kaha’n ja rahe ho ? Kaha’n ja rahe ho ? Us Allah ne bulaya hai Jo Tera bhi Badshaah hai, Mera bhi Badshaah hai aur Tamaam Kaaynaat Ka Badshaah hai, usne Bulaya hai,*
*★• _ Azaan Dawat hai, Elaan nahi hai, Azaan Allah ki Taraf se bulawa hai, Dawat Ka ye Matlab nahi hai k Wo Pukaar raha hai, Dawat Pukaar nahi hai, Azaan Dawat E Ta’amma hai ,Azaan Allah ka Amr hai, Uska hukm hai Aao, Isliye Azaan Ka jawab Alfaz Ka dohra dena nahi hai, Azaan Ka jawab Saare Kaam Chhod Kar Masjid me aana hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Asbaab Gair Yaqeeni hai’n,*
*↬• Agar Ek Majmu’a Esa ho gaya k Azaan ki Awaaz Sun kar Khade ho Jaye Apne Kaam ko Chhod Kar, Tamaam Makhlooq ke bade chhote sabko Chhod Kar, Tamaam Makhlooq se Kat kar Masjid ke liye uth khada hua To Allah Rabbul izzat Saari Hukumato ko, Saari Shaklo ko iske saamne jhuka Kar dikhayenge,*
*★•_Yaad rakhna Jo Allah Ta’ala ke Fara’iz ke Ada karne me Jo Allah ke Ahkaam ke muqable me zarra barabar bhi Allah ke Gair ki Parvaah karenge Allah Unko magloob Kar ke gairo ke maathat kar ke rakhenge, Hadees me Hai-Jo hamare gair se Ummeed karta Hai hum use gair ke hawale Kar dete hai’n, isliye Namaz ko Yaqeen per la'o, Namaz ko Saari Kaaynaat ke Naqsho ke muqable me pesh karo k Saari Kaaynaat ke muqable me Namaz Yaqeeni hai, Kaaynaat ke Saare Naqshe gair Yaqeeni hai’n,*
*★• _ Doosri Mashq Namaz per Allah ke Vaado ki hai, Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba ko Apne Ghar walo ko, Apne mutalliqeen ko Namaz ke Yaqeen per uthaya, Ek Sahabi ne Sawal Kiya k Mai’n Tijarat ke liye Behren Jana chahta hu’n, farmaya Pehle Do Raka’at Namaz padh lo, Tijarat se Nahi roka Lekin Keh diya k Tijarat se Kamyaabi na hogi Kamyaabi Namaz se hogi,*
*★•_ Yaad rakho Jo A’amaal ko Muqaddam karte hai’n Asbaab per A’amaal ke Yaqeen ke Saath, Allah Unko Asbaab Tak Pahu'nchne Se pehle hi unki Haajato me Kaamyaab Kar dete hai’n, Jo Yu’n kehte hai’n Namaz bhi Sabab bhi, Unko Asbaab se Kamyaabi Nazar nahi aayegi bavjood Amal ke, Sabab me Kamyaabi nazar nahi aayegi Jab Tak Sabab ko Namaz ke barabar Ka darja diye hue hai’n, Isliye Asbaab ko Tark karne ko nahi kehte, Asbaab ko Mu’akhkhar karne ko kehte hai’n, Asbaab ko pichhe Karo A’amaal ko Aage Karo,*
*★•_ Yaha’n Tak farmate hai’n Abdullah ibne Mas'oud Raziyallahu Anhu k Jab Tumhe koi Haajat pesh aaye to Agli farz Namaz Ka intezar kiya Karo, Ye nahi k Haajat ko Sabab Se Poora Kar liya Jaye, balki farmaya k Apni Haajato ko Farz Namazo ke liye utha Kar rakho, Ye mustaqil mashk ki Cheez hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _. Apni Namazo Ko Allah Ke Vaado Per Lana,*
*↬• Doosri Baat ye hai k Namaz Allah ke Vaado ke Yaqeen per aaye, Vaado Ka Yaqeen Karna hai, Vaado ki Niyat Nahi karni hai, Ey Allah Namaz padh raha hu’n Ye Kaam kar de, ye Namaz Haajat ke liye Hui Allah ke liye nahi hai, Namaz Haajat ke liye nahi hai, Namaz Allah ka Qurb haasil karne ke liye hai aur Qareeb wale ki Baat Suni jati hai,*
*★•_ Haajat ki Namaz Ka Matlab ye hai k Namaz Allah ke Qurb ke liye padh raha hu’n, Qareeb ho Kar Allah se Baat ki ja Sakti Hai, Mai’n Door hu’n Allah se, Namaz Allah ke Qurb Ka Zariya hai, Namaz Se Allah ka Qurb Haasil Karo fir Allah Se Kaho, Salatul Haajat Ka Matlab ye hai,*
*★•_ Apni Namaz ko Allah ke Vaado per Lana, Iske liye Faza’il ki Taleem hai, Hamare Yaha’n Taleem Ka Maqsad Sirf Thodi Dair Beth Jana nahi hai, Sirf Shoq paida kar Lena nahi hai Balki Asbaab ki Duniya me ja kar Jo Sabab se Hota Nazar aaya hai Waha’n se uth Kar aao, Taleem ke halqo me betho aur ye kaho Dil se k Khuda ki Qasam Asbaab Se nahi palte hai’n Khuda ke Vaado per Palte hai’n,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _. .. Taleem Ki Sharte’n,*
*↬• Jab Tak Taleem me bethne Wala aur khud Taleem karane Wala dono is Yaqeen ko, is Tasavvur ko Dil me liye hue nahi bethenge k Hum Asbaab se nahi palte, Hum Allah ke Vaado per Palte hai’n, inko Allah ke Vaade Samajh me nahi aayenge,*
*★•_ Tabiyate Taleem se ukta chuki Hai'n, Rozana Ek Kitaab Rozana Ek Kitaab, Padh li, Hifz ho gayi, Yaad ho gayi, Amal ke liye Karna chahte they ab Amal karne lage hum, Hazrat Farmate they- Us Amal Ka Kya Aitbaar hai Jo Amal Tu Khwahish ke liye Chhod de, Us Amal Ka Kya Aitbaar hai Jo Haajat Tujhse Wo Amal Chhudwa de, Mo’atbar Wo A’amal hai’n Jo A’amal ke Yaqeen ke Saath kiye Jaye _,”*
*★•_ Isliye Taleem Ka Tareeqa ye hai, Taleem ke Saath ye Shart hai k Taleem karane Wala, Taleem Sunne wale is Taleem ke Halke ko Muhammad ﷺ aur Aapke Sahaba Ka wo Halka Tasleem Kare Jisme Aap ﷺ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Gaib Ka Tazkirah Kiya karte they aur Munafiqeen kehte they ye Vaade Poore hone wale nahi hai’n aur Sahaba kehte they Nahi ye Vaade Poore ho Kar rahenge,*
*★• _ Aaj bhi Taleem ke Halko me Usi kaifiyat ki zarurat hai, Agar is Kaifiyat per Taleem Ka Halka nahi hai to Purane Se Purane bhi is Taleem ke Halke se ukta jayenge,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Taleem Ka Maqsad Sirf Shoq paida Karna Nahi,*
*↬• Allah ke Vaado ko Dilo’n me Taza karne ke liye Taleem Ka Halqa hai, Sirf Namaz Ka Shoq paida karne ke liye Taleem nahi hai, Tablig me Taleem Ka Maqsad Sirf Shoq per la Kar khatm Kar diya gaya, Jo Amal Wala ban gaya hai Wo Taleem me nahi bethega, Yu’n kahenge k Naye Logo'n ke liye Taleem hai, Hum bhi pehle betha karte they Jab Namaz nahi padha karte they, Isse Namazi ban gaye ab iski Kya Zarurat hai ?*
*★•_ Nahi ! Taleem Sirf Namaz Ka Shoq paida karne ke liye nahi Balki Taleem Subeh Shaam Duniya me faile hue Maaddi Asbaab ke Muqable me Allah ke Vaado ke Yaqeen ko Taza karne ke liye Taleem hai,*
*★• _ Jitni Jama’ate Allah ke Raaste me Nikal rahi Hai’n Nikalne ke Zamane me Subeh Shaam Taleem Kare, Subeh ki Taleem me Teen Amal ho'nge, Qur’an Ka Halqa, Muntakhab Ahadees Ki Taleem aur Chhe Sifaat Ka muzakra, iska Ahatmaam Karna, Ek Ek ko Ek Ek Aayat Ratwayi Jaye, Sahi Talaffuz Ada karne ki Koshish ki Jaye,*
*★•_ Ulma aur Qari Hazraat Jama’ato ke Saath Ahatmam se Nikle, Nikalne walo ki Qur’an ki Taleem aur Faza’il ki Taleem Ka khud Ahataam Kare, Maulana Ilyaas Sahab Reh. farmate they- Har Jama’at ke Saath Molvi, Qari ho Jo inko Deen ki Taleem de, Jo inko Qur’an sikhlaye,*
*★•_ Allah ke Raaste ki Sahaba ki Naqal harkat me bhi iska Ahatmam hota Tha, Jaahil log aate they, Ulma Saath nikalte they, Naye log aate they unhe bhi Dawat de Kar nikaala Jata tha, Naye log Purano se Seekha karte they, Aap Zara Seerat per gor Kare, Is Dawat Ke Kaam ko kisi Firke ya Jama’at Ka Kaam Alag samajh Kar na chale, Ye badi na samjhi ki Baat hai, Seerat ki Taraf Jaye to Samajh me aayega Dawat Ka Kaam, Mojooda Soorate Haal ko dekhoge to samjhoge k ye Ek giroh hai koi Jo Apna Kaam Kar raha hai, Esi Baat nahi hai Deen Ke Tamaam shobo me Khair lane ke liye Ummat ko Tamaam Shobo se Jodne ke liye ye Asal Mehnat hai, Isliye Taleem ko Asal Tareeqo per Lao,*
*★_ Subeh ki Taleem me Do Do ki Jodi bana Kar Ek Ek Qur’an ki Aayat inke Zimme karo ,Ek Doosre ko sunate rahe, Theek karate rahe, Agle Din usko Suna Jaye fir Agla Sabaq diya Jaye, isi Tarah Khurooj ke Zamane me Qur’an ke Halqe Ka Mamool hoga Jese Qurani makatib me Bachcho ko padhane Ka Mamool hota hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _. _Kaam Ko Taqseem na Karo,*
*↬• Subeh ki Taleem me Muntakhab Ahadees hi padhi Jaye, Ye Taleem ki Buniyadi haisiyat rakhti hai Isliye k 6 number per Hazrat Ji Reh. ne Muntakhab kar ke Ahadees jama ki Hai’n, Ye 6 number Tablig ki Buniyadi sifat hai, Saara Kaam 6 Sifaat hai, In 6 sifaato ki Roshni me Haqeeqat Tak Pahu'nchna hai, Inko Hadees ki Roshni me Bayan Karna ye Muntakhab Ahadees Ka Asal Maqsad hai,*
*★•_ Khuda ki Qasam isse bada Azaab aur koi Nahi hai k is Kaam ko Taqseem karne ki koshish ki Jaye, Isse Bada Ummat per Azaab koi aur nahi hai, Saari Duniya me Kaam ek Rukh per hai, Isko Do rukho per Taqseem Karne se Bada jurm aur Koi nahi Hai,*
*★•_ Ikhtilaf karne walo ko Samjhana hamara fariza hai, Unka ikraam Karna hamara Maqsad hai, Dooriya’n paida karne Ka mat Socho Balki har qeemat per Saath le Kar chalne ki socho, Tashaddud bhi hoga , Nabuwat Ka Kaam ye hai k Dab Kar, Bardasht Kar ke, Allah se Maa'ngte raho, Maa'ngte raho, Maa'ngte raho, Kabhi to Dil naram ho jaye'nge, kabhi to Baat samajh me aayegi,*
*★•_ Mai’n to Hairaan hu’n, Gairo ko samjhate hai’n Apno ko nahi samjhate, Gairo ki Takleefe Bardasht karte hai’n Apno ki nahi karte, Ajeeb Baat hai,Jab Tum Gairo ko Samjha Kar Apna Bana sakte ho to Apno ko Samjha kar Apna nahi bana sakte ?*
*★• Kaam ki Tarteeb Poori Duniya me Ek hai, Kaam ke kisi Juzv se Agar Koi ikhtilaf Kare to Juzviyaat ki Vajah se Ummat se ikhtilaf nahi karenge, Hum Apna Kaam karte rahenge Jo kaha gaya hai aur Samjhate rahenge, Usool Ladne ke liye nahi hai’n, Usool to Darte hue Amal karne ke liye hai’n, Usool per ladna Sabse Badi himakat hai ,Usool ke liye ladna Sabse Badi Be Usooli hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Masjid Ki Aabadi Ki Mehnat _,*
*★• _ Muntakhab ke Baad 6 Sifaat Ka Muzakra ho, Zohar ki Taleem me Fazail E A’amaal, Fazail E Sadqaat Ahatmaam se padhi jawe, Hazrat Shekhul Hadees Zakariya Reh. ne Jo Ahadees ke Zel me Fawaa’id ( faayda) likhe hai’n, Ye bada Qeemti sarmaya hai, Ek Muhaddise Aazam Ka Ahadees ke Majmu’e Ka Nichod hai Faayda, Is Fayde ko intehayi Tavajjoh se Suna Jaye, Padha Jaye aur Tanhaiyo’n me Beth Kar gor Kiya Jaye, in Fawaa’id per to har Shakhs ko Apne Deen ki kami Ka khud Ahsaas hoga,*
*★•_ Taleem koi Rasm Nahi hai, Iske Zariye Apne Andar Deen ki kami Ka Ahsaas paida Karna hai, Hamara sabka haal ye hai k Hum Ri’ayat karte hai’n Musalliyo ki isliye ye Taleem girte girte 5 minute 2 minute per aa gayi hai,*
*★•_ Beshumaar log hamare mohalle me Ese hai’n Jo Retired ho chuke hai’n koi Kaam nahi hai, Gharo me pade hue hai’n, Fursat kisi na kisi Gunaah me mubtila rakhegi, Agar ye log Masjid ke khoota ban Jaye'n, Masjid me pad Jaye'n to inke Masjid me pad Jane ki vajah se Mohalle ke log Masjid se istefada karenge,*
*★•_ Hamari Masjide Khaali hai’n, Fir Shikayat karte hai’n k Masjide haath se ja rahi Hai’n, Kyu'n na Jaye, Musalman ke Allah ke Gharo ko Aabad na Karna aur iski Na- Shukri ye Musalman ki Masjido Ka inke haath se Jane Ka Asal Sabab hai,*
*★ _ Isliye Taleem ke Saath Taleemi Gasht, Ek Taleemi Gasht hoga Khurooj ke Zamane me, Ek Taleemi Gasht hoga khud Apni Basti me rehte hue, Dono jagah Taleemi Gasht hai, Muqaam per bhi aur Khurooj me bhi, Muqaam per Taleemi Gasht kab hoga ? Muqaam per Jo Taleemi Gasht hoga Wo Dhaa’i Ghante ki Mehnat hai, Dhaa’i Ghante ki .ulaqaate yahi Taleemi Gasht hai,*
*★•_ Bazaaro me Gharo me Hotlo'n me koi jagah mat Chhodo mulaqaat se, Ye Khayal Galat hai k Masjid ki Aabadi ki Vajah se Gharo ki mulaqaate Chhodna Chahte hai’n Balki Jis Ghar ki Mulaqaat Ka Mashwara ho gaya us Ghar ki Mulaqaat karte hue Masjid se le Kar us Ghar ke Darmiyan ke har fard ko Dawat de Kar Masjid ke A'maal ki Taraf Lana, Jo Mulaqaat ke liye Tay ho gaye Wo mulaqaat ke liye Masjid ke atraaf me Bazaaro me Hotlo'n me Ayyashi ke addo me, Sharaab khano me Taash ke halqo me, Jaha’n Jaha’n Musalman jis Haal me hai Ek Ek Musalman ko Masjid Ke Mahol me Lana, Musalman ko Masjid me aane ke aitbaar se Haqeer Samajhna ye badi himakat hai, Kyu'nki Ek Musalman Jesa bhi hai Uska Darja Baitullah se Ou'ncha hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _..Gharo me Qur’an Ka Halqa Hidayat Ka Zariya Hai ,*
*★_ Ek Taleem Masjid ki Wo hai Jo kisi Ek Namaz ke Baad Masjid me karne Ka mamool hai, Is Taleem me Sabhi shirkat Kare, Isme Taleemi Gasht nahi hai, Taleemi Gasht jab Shuru hoga jab Dhaa’i gyhante ki Mulaqaate Shuru ho'ngi, Is Tarah Hume Taleem Ka Ahatmaam Karna hai, Isi Tarah Apne Muqaam per Jo Paa'nch A’amaal batlaye ja rahe hai’n Ye Nayi Baat nahi hai, Sahaba ki Seerat hai, Kaam Mere Aapke Tajurbaat per nahi hai, Meri Aapki Soch per nahi hai, Kaam seerat per hai,*
*★_ Gharo me Qur’an Ka Halqa ye Hidayat Ka zaroori zariya hai, Umar Raziyallahu Anhu ko Hidayat mili hai Us Din Jab Aap Aap ﷺ ko qatl ka irada le Kar nikle they, Jab Behan ke Ghar dakhil hue to Waha’n Qur’an Ka Halqa Chal raha tha, Hazrat Khabbab Raziyallahu Anhu Umar Raziyallahu Anhu Ke Behan Behnoyi ko Qur’an Sikhla rahe they, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko Hidayat yaha’n se mili,*
*★ _ Ghar se Nikle they Aapko qatl karne Ka Taqaza le Kar, Yaha’n se Nikal rahe hai’n Islam Qubool karne Ka Taqaza le Kar, Ye Kehne ki Baate'n Nahi hai’n, Haqeeqat hai, Ye kehna k Tablig me Naye Naye Kaam Shuru ho rahe hai’n, Mai’n to Kehta hu’n Sahaba ke Amal ko Naya Kehne Wala khud Naya hai, Kaam Naya nahi hai, Isko Naya Kehne Wala Naya hai, Is Kaam Ki Mukhalfat Karna Barahe Raast Muhammad ﷺ Ke Tareeqa E Amal Ki Mukhalfat Karna Hai,*
*★• Hazrat Ji Maulana in’amul Hasan Sahab Reh. Unka khud Khat Mojood hai Kaam karne Walo ke Naam k "Rozana Gharo me Qur’an ki Tashreeh Ka Halqa 6 Naumbero ke muzakre ke Saath Taeem ke Saath Karna chahiye _,” Ameer ( Hazrat Ji Reh.) Ka hukm hai, ita’at isko Nahi kehte k kaha hoga Unhone Hum Mashwara karenge, isse badh Kar Sahaba ki Seerat Saamne hai, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Seerat Sabse badh Kar hai,*
*★•_ Rozana Gharo me Qur’an ki Tashreeh Ka Halqa aur kyu na ho ye Fariza hai, Qur’an Ka hukm hai, "Apne Aapko aur Apne Ghar walo ko Jahannam ki Aag se bachao_,” Jahannam me Jane Ka Sabse Pehla Sabab Namaz Ka Chhodna hai, K itna Qur’an Seekhna farze ayn hai har Ghar ke har fard ko har Mard Aurat ke liye Jisse Namaz Durust ho Jaye, Namaz Durust nahi hogi Qur’an ke bager,*
*★•_ Isliye Rozana Ghar me Taleem ke Saath Qur’an Ka Halqa ho aur Usme Ghar Ke har fard ki shirkat ho, Esa Waqt dekhe Taleem ke liye Jo Sabki Fursat Ka aur Sabke Jama hone Ka Waqt ho, Halqa laga Kar bethe, Ek Ek Se Qur’an ki Aayat suni Jaye, Esi Aurte’n Jo Ayyaam me Hai’n Wo Qur’an nahi padh sakti Wo Beth Kar sune, Lekin Qur’an Ka Halqa eky Din bhi na Chhoda Jaye, Ayyaam Se Paak ho Jaye fir Padhe Seekhe, fir 6 Sifaat Ka Muzakra aur Allah ke Raaste me Nikalne ke liye Masturaat ki Tashkeel ho,*
*★•_ Hazrat Farmate they- Doodh pite Bachcho ko le Kar betho, Jo Rehmate Naazil ho'ngi Jo Farishte Naazil ho'nge halqo per isse Tumhare Bachcho ki Tarbiyat hogi _,. Yaha’n to Halqe Se hi ikhtilaf hai, Kitni Badi Mehroomi ki Baat hai, A’amale Sahaba Se ikhtilaf, Ye Kaam Masnoon hai, Is Kaam ki Mukhalfat Karna Barahe Raast Muhammad ﷺ ke Tareeqa E Amal ki mukhalfat Karna hai, Dar lagta hai Kahi'n Allah Ta’ala is khair se, khairul Quroon ke Tareeqe se mehroom na Kar de, Kisi Baat Ka inkaar karne se pehle Zaroor Soch Lena k Kahi'n ye Kaam Seerat me to Nahi Jiska hum inkaar Kar rahe hai’n,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Aurto’n me Deen Ki Mehnat Zaroori Hai,*
*↬• Hume Aurto’n ki Jama’ato ko Kasrat se Nikaalna chahiye, Kyu? Aap bataiye Masjide Zyada hai’n Duniya me ya Ghar zyada hai’n, Mardo’n ko to Masjid me Mahol mil jayega, Aurto’n ko Mahol kese milega ?, In Gharo ke mahol ko kese badla jayega, Har Ghar me Be Deeni ki Aag lagi hai, Isko Badalne ke liye har Ghar ke 24 ghante ke Nizaam ko Dawat per, ibaadat per, Sunnat per, Taleem ke Halqo per, Qur’an ki Tashreeh ke halqo per, in Gharo ke 24 Ghante ke mamool ko Nabuwat ke Tareeqe per lane ke liye in Gharo me Aurto’n ki Jama’ato Ka dakhil hona Behad zaroori hai, Shara’i Parda, Shara’i Mehram Saath hona ye Shara’it Sabse Zyada ahmiyat rakhti hai,*
*★_ Huzoor Akram ﷺ Umme Haraam Raziyallahu Anha ke Ghar Araam farma rahe they, Aap muskura kar uthe, Puchha ya Rasulallah kyu muskura rahe hai’n, Farmaya k Maine ek khwaab dekha hai, Meri Ummat ke Ese kuchh log Samundar paar jayenge Kashtiyo’n Se Safar Kar ke Mere Deen ki Dawat ko un Tak Pahu'nchne ke liye Aur Wo Kashtiyo’n me Ese bethe honge Jese Badshaah Takhto per itminaan se bethe Hote hai’n, Umme Haraam Raziyallahu Anha ne arz Kiya- Ya Rasulallah mujhe bhi us Jama’at me Shamil Kar dijiye, (Umme Haraam Aurat hai’n, Yu’n nahi farmaya k Tumhare karne Ka Kaam Nahi hai ye Sirf Mardo’n Ke karne Ka Kaam hai ), Farmaya k Umme Haraam tum Usi Jama’at me ho,*
*★_ Dobara Aap soye, Aap dobara muskrate hue uthe, Farmaya- mujhe Ek Jama’at dikhlayi gayi Usi Tarah, Umme Haraam ne kaha- Doosri Jama’at me bhi mujhe Shamil kar dijiye, Farmaya- Umme Haraam, Tum Doosri Jama’at me kese Shamil ho sakti ho ? Jab Pehli Jama’at me nikal Kar Us Mulk me Tumhari wafaat ho jayegi, Tumhari Qabr Waha’n banegi, Ek Aurat Jisko batla diya gaya Hai k Teri Maut Fala'n Mulk me hogi, Wo Jane ko Taiyaar hai, Ye Aurto’n ke jazbaat they,*
*★• Aurto’n ki Jama’ato Ki Naqal Harkat inka Khurooj zaroori hai Gharo me Deen Ke dakhil hone ke liye, Isliye arz kar raha hu’n, Do maah Teen Din Apni masjid ki Mardo’n ki Jama’at ke Saath aur Teesra Mahina Teen Din Apni Masturaat ke Saath nikle, Har Masjid walo se ye kehna hai k Masjid vaar Jama’at Ka har Saathi Ansar ki Tarah aane wali Masturaat ki Jama’at ke liye Apne Gharo ko Pesh Kare, Ye har Masjid ke Zimmedaro ko chahiye k wo iski Targeeb de,*
*★•_ Tashkeel Karo Saathiyo’n ki, Kon Masturaat ki Jama’at ki Nusrat karega Apne Ghar me ? Kahi'n Jama’at aa Kar thehar Jaye Masturaat ki, Aas paas ki Aurte’n aa Kar Taleem me Shirkat Kar le, Ye Hargiz Kaafi nahi hai, jab Tak Us Ghar me Kam se Kam 24 ghante Jama’at Reh Kar us Ghar ke Afraad ko Saath le Kar unhe Khane ki Sunnate, Sone ki Sunnate,Taleem Ka Tareeqa, Namaz Ka Tareeqa, imaan, ibaadaat jab Tak Saath Reh Kar Amali Tor per na sikhlaye, Ghar ke mahol me Tabdeeli nahi aa sakti,*
*★_ Mai’n nahi samajhta k Gharo Ka Mahol Sirf hafte vaari Taleem se badal Jaye, Hafte vaari Taleem Ghante 2 Ghante ki hai, Ek Ghar ke 24 Ghante ke Nizaam ko Badalne ke liye ye Buniyadi zariya hai k Koshish Karo Har Ghar me Masturaat ki Jama’at dakhil ho Jaye,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Ghar Ki Taleem Ke 5 A’amaal,*
*↬• Jab Muhajir aaye Hijrat Kar ke To Ansar ne har Cheez ko pesh kiya, Mere paas khait hai Khait le lo, Mere Paas Makaan hai Makaan le lo, Farmaya Tumhari khaiti Tumhe Mubarak Tumhara Ghar Tumhe Mubarak, Lekin Aapas me Mel Jol itna hua k Jo kuchh Muhajir ki Aurte’n Seekh Kar aayi thi Wo Añsàr ki Aurto’n ko Saath rakh Kar sikhla diya,*
*★_ Isliye arz kar raha hu’n k Masturaat Ka Kaam is Tarah Ahmiyat rakhta Hai Jis tarah Masturaat ke Raaste Se Be Deeni Ka aana is Zamane me zyada Ahmiyat rakhta Hai, Aurto’n ki Tadaad badi hai Mardo’n Ke Muqable me, Unme Mehnat ki Zyada zarurat hai,*
*★•_ Har Masjid ki Jama’at Apni Masjid se Mutalliq Mohalle me Haftewari Taleem ki khud fikr Kare’n, Shara’it nahi hai, Shara’it nahi hai, Ye Taalne wali Baat hai, Kaam karne wale Zimmedar isko nahi kehte, Shara’it nahi hai to Shara’it ko poori Karo, Har Mohalle me Haftewari Taleem har Masjid vaar Jama’at ki Zimmedari hai, Har Masjid ki 2 Zimmedariya’n hai, is Masjid se mutalliq Hafte vaari Taleem aur is Masjid se Mutalliq Gharo me Masturaat ki Jama’at Ka Istaqbaal ,*
*★• _Ghar Ki Taleem me 5 A’amal Hume Karna hai, Taleem, Qur’an Ka Halqa, 6 Sifaat Ka Muzakra, Masturaat ki Tashkeel aur Mashwara, Mashwara 5 va Amal hai, Agle Din Ka Mashwara- k Taleem Kon karayegi, Qur’an Ka Halqa kiske zimme hoga, Kal 6 Naumber Kon Bayan karegi, Ye Rozana ke mashware se Muta’iyan Kar Ghar ki Aurto’n ke Zimme Kiya Jaye, is tarah Gharo me Hume Faza’il ki Taleem Ka Amal Usool aur Adaab ke Saath Paabandi se Karna hai, ( in Sha Allah )*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Awaam Ko Ulma Se Jodna Ye Hamara Maqsad Ho,*
*↬• Masa’il Ka ilm Farz hai, iske bager kisi Farize Ka aitbaar nahi, Masa’il Ka ilm Ulma Se haasil Karo, Ulma ki Sohbat, Unki Ziyarat ko Apne liye ibaadat aur Akhirat ki Nijaat Ka Asal zariya samjho, isliye k inke bager Nijaat nahi hai,*
*★•_ Jo Fariza Namaz Ka hai Wo hi Darja Fara’iz me ilm Ka hai, Ilm Farz Kiya gaya hai is Ummat per, Hamari koshish ye hai k Dawat ke zariye Ummat ko Jahaalat se nikaal Kar Allah wale ilm ki taraf laye, Har Jagah ke Awaam ko Waha’n ke Ulma Se Jodna, Har jagah ke Awaam ko Madaris aur Makaatib se Jodna ye hamare Gashto Ka buniyaadi maqsad hai,*
*★•_ Madaris Ka Ta’wun Apne Maal Ka Sabse Pehla Masraf samjho, isliye k is Zamane me Ummat Ko Jahaalat se nikaal kar ilm Sikhlane par aur Ummat ko Zaaya hone se bachane ke liye Maal Kharch karna Baatil se muqabla karne Ka Asaan Raasta yahi hai k Ummat ko Jahaalat se nikaala Jaye,*
*★•_ Mai’n Samajhta hu’n k Dini idaare Jin Mushkilaat se guzarte hai’n, Qurani Makaatib Apni zaruriyaat me Jin Halaat se guzarte hai’n, Ye Musalmano ke ilm per kharch na karne ke Mijaaz ki vajah se hai, Sabse Behtreen hai Wo Shakhs Jo inko Zaruriyaat se faarig Kar de,*
*★•_ Musalman Ka ye Samajhna k Hum bhi Asbaab banate hai’n, Humne Fala jagah ye intezaam kar diya, Humne musafir Khane banwa diye, Mai’n Sawal karta hu’n k Tere Maal kharch karne se Musalman ko Deeni Faayda Kya hua ? Duniyavi faayde to gair bhi pahu'ncha dete hai’n aur Pahu'ncha rahe hai’n, Allah Ese Logo'n ko jaza E Khair de Hidayat ki Shakl me,*
*★_Jaha’n Jaha’n Hamari Jama’ate chale Qur’ani Makaatib Qaa’im karti Hui chale, Imaam se mulaqaat Kare ,Targeeb de, Bachcho'n ko Budho'n ko Sabko Gasht Kar ke Maktab se Jode, Aaj Kal log Samajhte hai’n k Maktab Ka Matlab Bachcho'n Ka Maktab, Maktab Bachcho'n Ka Nahi hota, Maktab to har Musalman Ka hota Hai, isme 5 saal ke Bachche Se Le Kar 80 Saal Ka Budha bhi iske Halqe me bethega, Yahi Sahaba Ka Tareeqa hai, Maktab Ka Tasavvur Bachche Nahi hai’n, Maktab Ka Tasavvur har Musalman ko Kam se kam Masjid me Qur’an aur Aqaa’id ki Taleem dena har Momin se mutalliq hai,*
*★_ Masjidwaar Jam'ate bhi Apni Apni Basti, Mohalle Ki Masjid me Maktab Qaa’im karne ki Fikr Kare aur Apne Gashto me Mulaqaato me Maktab ki Taleem ki bhi Dawat de,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _. Zikr Ka Ahatmaam Karo ,*
*↬• Isi Ke Saath Allah Ke Zikr Ka Ahatmaam Karo, Ilm aur Zikr Ka Khulasa hai k Allah ki ita’at uske Dhyaan ke Saath ho Jaye, Zikr ko Laazim pakad lo, Maulana Ilyaas Sahab Reh. Ka Malfooz hai – Zikr ke Bager ilm zulmat hi zulmat hai,*
*★•_ Aadmi Ghar Ka Geographiya Jaanta hai Lekin Andhere me Takkar maarta hai Diwaar se Hala'nki use Maloom hai Mera Ghar Kis Tarah bana hua hai, Lekin Andhere me nahi Chal Sakta, Bilkul yahi Baat hai Agar Zikr Nahi hai ilm hai Tab bhi Gumraah ho jayega, Zikr Roshni hai, Sahi Galat me Farq karne ke liye aur Raasta Paane ke liye, isliye Zikr ko Halka na Samjho, Zikr Ka Ahatmaam Karo,*
*★•_ Allah ke Naam Ka Zikr Karna uske Dhyaan ki Mashq ke liye hai, 24 Ghante Allah ke Dhyaan ke Saath Guzaarna ye Zikr Ka Asal Maqsad hai, Zikr ko Allah ke Dhyaan ke bager Karna Be-Adabi hai, Jiska Anjaam Dilo’n ki gaflat Ka Baqi rehna hai, Zikr Tanhayi me Karo, Ba-Wazu Karo, Allah ke gair se kat Kar Zikr Karo, Sirf Tasbihaat Ka poora Karna zikr nahi Hai, Zikr ki Haqeeqat ye hai k Gunaah ke Waqt bhi Allah Yaad aaye aur Us Gunaah Se dar Jana ye Asal zikr hai ,Is Kaifiyat Tak Pahu'nchne ke liye Zikr ki Mashq hai,*
*★•_ Maulana Ilyaas Sahab Reh. farmate they – Zikr zariya hai 24 Ghante Allah ko Yaad rakhne ki Mashq ke liye, Logo'n ne Zariye ko Asal Samajh liya Maqsood ko Bhula Diya,*
*"_ Log Zikr Bhi kar rahe, Layaani me bhi mubtila hai’n, Zikr bhi kar rahe aur Geebat bhi ho rahi, Nahi ! Asal Zakir hi Wo hai Jisko Gunaah ke Waqt Allah Yaad aa Jaye, Aa'nkh khul jati hai foran Allah ke Azaab ko dekh lete hai’n k is Gunaah ko karne per ye Azaab hai, Andhapan isko nahi kehte k kisi ko kuchh Nazar nahi aata , Andhapan isko kehte hai’n k Aakhirat Nazar na aaye,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Teen Tasbihaat aur Qur'an E Paak Ki Tilawat Ki Paabandi*
*↬• Subeh Shaam Teen Teen Tasbihaat ki Paabandi Kare, Nikalne ke Zamane me hi nahi balki muqaam per bhi iska ahatmaam rahe, Ek Tasbeeh Teesre Kalme ki, Ek istagfaar ki aur Ek Tasbeeh Darood Shreef ki, Muhammad ﷺ ke Wo Ahsanaat hai’n hum per k Agar Hum Apne Jism ki Khaalo ki Jootiya’n bana Kar pesh Kare to Khuda ki qasam Ahsaan Ada nahi Kar Sakte, Allah hi qaadir hai, Hum Qasir hai’n, Ey Allah ! Tu hi Qaadir hai is per k Muhammad ﷺ ko Unke Deen hum Tak Pahu'nchane ke Faqro Faaqe me, Is Deen ko hum Tak Pahu'nchane me Zakhm Khane me, Is Deen ko hum Tak Pahu'nchane me Nagawariyo’n ke Bardasht karne me, Ey Allah Jo Aap ﷺ ka hum per Ahsaan hai Us Ahsaan Ka badla dene me hum Aajiz hai’n, Qaasir hai’n ,Ey Allah Tu hi badla ata farma,*
*★•_ Bayan karne wale, Bayan Sunne wale iska Khaas Ahatmaam Kare, Jab Ummat Dawat ko Bhool jayegi, Aap ﷺ ke Ahsanaat ko Bhool jayegi Kyu'nki Jitni Aapki Aziyate is Dawat ilallaah ki vajah se Hai is Dawat ko bhulane wale Aapke Allah ki Taraf bulane ki Aziyato ko Bhula bethenge, Kyu'nki Jo Dawat ko nahi samjhega Aap ﷺ ki Aziyato ko Kya samjhega ?*
*★• Qur’ane Kareem ki Tilawat Sabse Afzal zikr hai, Hamare Majme me Bayan, Taqreer, Mashware Lambe Lambe Aur Qur’an ki Tilawat ? K Waqt nahi Mila, Nawafil Ka Waqt nahi Mila, Tilawat Ka Nawafil Ka Ahatmaam nahi hai, Yaad rakho ! Jo Allah Se Be Talluq ho Kar Chalenge Wo Allah ke Bando ko Allah ke mutalliq nahi Kar sakenge, Ye Sochne ki Baat hai k Hum kisi Program se Guzar rahe hai’n ya Dawat ilallaah se, Dawat to Allah se Jodne aur Judne ka Naam hai, Qur’ane Kareem ki Tilawat Ka mamool bana Le’n k isse Afzal Zikr koi nahi hai,*
*★•_ Hadees Paak me aata hai K Jisko Qur’ane Kareem ki Tilawat ki vajah se Zikr Dua Ka Waqt na mile Allah Ta’ala usko usse Behtar ata karte hai’n, Ye Allah Ki Zaat Se nikla hua Kalaam hai, Rozana Tilawat bhi Kare’n aur Mohaqqiqeen Ulma, Mo’tbar Ulma Se poochh Kar Apne muta’alo me Tafseer Ka bhi zaroor Ahatmaam Kare’n, Asaan Tarjuma Qur’an Ka zaroor dekhe, Koi Baat samajh me na aaye to Ulma se poochho,*
*★• Qur’ane Kareem ko samajh Kar padhna isliye zaruri hai Taki har Musalman Barahe Raast Allah ke Kalaam ko Samajh Kar Kalaam Ka Asar le, Qur’an me Tadabbur Karna gor Karna Qur’an Ka hukm hai, Mushrikeene Makka Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Ke Qur’an Zor se Padhne per ikhtilaf karte they k Hamari Aurte’n Bachche Qur’an Sun Kar islam me dakhil ho jaye'nge, Wo Samajh Kar Sunte they to Musalman ho Jate they, Hum samajh Kar nahi padhte isliye mutassir nahi Hote, Jhoote Akhbaar padh Kar mutassir ho Jate hai’n, Sachcha Qur’an padh Kar mutassir nahi Hote Kyunki Jhoota Akhbaar samajh Kar padh rahe hai’n, Sachacha Qur’an samajh Kar nahi padh rahe,*
*★•_ Aur Khurooj ke Zamane m,e Tilawat, Subhanallaah ! Farmaya Ek Rivayat me ,Jo Allah ke Raaste mr Nikal Kar Hazaar Aayate Tilawat Kare Allah Ta’ala usko Ambiya Siddiqeen Shohda Saleheen ki Jama’at me uska Naam likh dete hai’n. Ye isliye farma rahe hai’n k Teen qisme Mehnat karne wali hai, Ambiya Siddiqeen Shohda ,agar in teen qism wale ban Jaoge Apne ilaaqe per Mehnat, Apni zaat per Mehnat, Saare Aalam me Mehnat, Agar in teen ke aitbaar se har jagah Mehnat karoge to Allah Tumhe Saleheen me Shamil Kar denge ,Isliye Qur’an ki Tilawat Ka Ahatmaam Kare’n,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Tahajjud Ka Ahatmaam,*
*↬• Tahajjud ko Laazim Pakad lo, Din bhar ki Dawat me Jo Quwwat milegi Wo Raat ke Qayaam se milegi, Kaam Allah Ta’ala ki Madad se hoga, Agar Wo Hinda Aapke Chacha Ka kaleja Chabane Wali Fateh Makka ki Raat ki infiradi, ijtimayi Sahaba ke Qayaam aur Raat ke Tahajjud ko dekh Kar imaan la sakti Hai To is Zamane me To Mai’n Samajhta hu’n k Koi Ek bhi Esa Nahi hai Jo Hinda Jesa jazba rakhta ho Apne Dil me, Socho,*
*★•_ Saathiyo’n Ko Naya sa lagta hai, Awwabeen padhwa rahe, Tahajjud padhwa rahe, Majma Thaka hua hai Araam karne do, Nahi ! Huzoor Akram ﷺ ibadat ka Din jisme Aapko Mina mai Hajj ke Arkaan karne they Us Din Se Pehle ki Raat Muzdalfa ki Jo Raat Tamaam Raato me Afzal hai, Is Raat me Aapne Poori Raat Araam farmaya hai, Ajeeb Baat hai ! Ibadat ki Raat me Araam farmaya hai lekin Dawat ki koi Raat Esi Nahi Jis Raat me Aapka Sar Sajde me na raha ho, Ibadat ke Din ki Raat Araam me aur Dawat Ke Din ki Raate Sajde me, Sar Nahi uthaya Aapne jab Tak Allah Se ye Tay Nahi karwa liya k Agar ye Jama’at halaak ho gayi to Duniya me Teri ibadat karne Wala koi na hoga, Is Ummat ko kis Tarah Aap ﷺ ne us Zamane me Qubool karaya hai, Ye har Ummati ki Zimmedari hai k Wo Raato ko Peshaniyo’n ko Sajde me Ragad Kar Ummat ke liye Allah se Hidayat ke Faisle karwaye,*
*★• Zahan Se ye Sab Baate Nikaal do ijtimayi Tor per k ye Raasta (Dawat Ki Mehnat) Alag hai, Wo Raasta alag hai, Maulana Ilyaas Sahab Reh. Aur Maulana Yusuf Sahab Reh. Ye Dono Baap Bete Mar Gaye ye kehte kehte k Ye Kaam Sahaba Wala Kaam hai, Ye Kaam Sahaba Wala Kaam hai, Ye Kaam Sahaba Wala Kaam hai, Sabse Badi Mehroomi Ka Sabab Wo banega Jo ye Samjhega k ye Kaam aur hai Wo Kaam aur tha, Chunki humne Sahaba ki Naqal harkat ke Tamaam Maqasid ko Bhula Diya, Ye Khurooj aur Naqal harkat Sahaba ki Asal Sunnat hai, Ek Ek Ummati ke Paas ja Kar khud Dawat de Kar Usko Uske Mahol se Nikaal Kar Usko ilm se bhi jodo, Qur’an se bhi jodo, Ulma Se bhi jodo, Masajid se bhi jodo, Fara’iz per bhi lao ,Asal Maqsad Ummat ki Halakat Nahi Hidayat hai,*
*★•_ Isliye Arz Kar Raha hu’n k Huzoor Akram ﷺ ne is Ummat ko Mutaharrik banaya Tha isliye Naqal harkat ke Saath in A’amaal ke Faza’il batlaye they k Agar Madina Munawwara me Beth Kar bhi Tilawat karoge, Harame Makka me bhi Beth Kar Tilawat karoge To Wo Ajar Nahi milega Jo is Raaste me Nikal Kar milega, Pakki Baat hai ye Pakki Baat hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Teen Kaam- Dawat, ibadat Aur Dua,*
*↬• Is Ummat Ka Kaam ye hai k Allah se manwa le, Apne liye bhi aur Saare Agyaar ke liye bhi Hidayat Ka Raasta Allah Ta’ala se khulwa le,*
*★•_ Agar Dawat Ka Kaam karne wale Kaam per ibaadat Ke bager jama ho rahe hai’n to ye Mehnat Ka Dhokha hai, Allah ke Bando'n ko Allah ke mutalliq karne ke liye Allah Ta’ala Per Tahajjud aur Duao’n ke Ahatmaam ke zariye zyada Mehnat karni padegi, Isliye Teen Kaam Saath Jode gaye they– Dawat, ibaadat aur Dua, Isliye Dawat aur ibaadat Ke Saath Saath Raat ke Qayaam Ka Bahut Ahatmam Kare’n,*
*★•_ Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Jama’ato ko Rukhsat karte hue Takeed farmate they k Do Kaam Bahut Zyada karoge To Allah Ta’ala ki Madad Tumhare Saath hogi, Ek Raat Ka Qayaam, Doosra Qur’ane Kareem ki Tilawat,*
*★•_ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Saath Jo Sahaba hua karte they Wo Ek Amal per Poora Majmu’a mujtama tha, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke A’amaal ijtimayi hua karte they, Ek Tabqe ne Kar liya Ek Tabqe ne na Kiya isse ijtemayi Mahol Nazar nahi aata, Ek Kone me bhi Gaflat Ka hona Sabki Gaflat ke liye Kaafi hai,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _.Ikraam, Ikhlaas Aur Ikhtaslaas,*
*↬• Ikraam ki Haqeeqat ye hai k Har Ek ke Saath Wo Ma'amla Karo Jiska Wo Ahal hai, Hume Allah ke Raaste me Nikal Kar khidmat ke Zariye ikraam ki mashq karni hai, Apna Kaam khud Karo, Doosro ke kaam aao, Huzoor Akram ﷺ Agar Jungle se lakdiya'n khud Chun Kar la sakte hai’n To Hamari Kya haisiyat hai ? Apne Aapko khud khidmat ke liye pesh Karo, Aap ﷺ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Saath Ese lag jate they Kaam me k aane wale ko Poochhna Padta tha Muhammad ﷺ Kon hai'n ?*
*★•_ Isliye khidmat ke Zariye Apne Andar Tawazo Paida Karni hai, farmaya Allah ka Talluq Bande se Bande Ka Talluq Allah se Us Waqt Tak Baqi rehta Hai Jis Waqt Tak ye Doosro se khidmat nahi Leta, isliye Khurooj ke Zamane me Khaas Tor Per Kamzoro ki Madad Karo, Apna Kaam khud Karo, ijtimayi Kaam me hissa lo, Kisi Kaam ko Apni haisiyat se nicha mat samjho, A’amale khidmat A’amale Nabuwat hai’n Barahe Raast, Ye Program nahi hai Dawat hai, Dawat me A’amal A’amale Nabuwat hai’n, A’amale Sahaba hai’n,*
*★• Aur Ye Saare Kaam Allah ki Raza ke liye Ho'n, Hadees me aata hai Adna Riya bhi Shirk hai, Isliye Apni Niyato’n ko Tatolte raho, Har Amal me Baar Baar Apni Niyato’n ko Saamne rakhe'n, Allah Se Ro Ro Kar ikhlaas Maa'ngte rahe'n, Ek ikhlaas hai aur Ek Ikhtaslaas hai, Is Kaam ko yaksu'n ho Kar Kare’n, idhar udhar ki Baato se, Layaani kaamo se Apne Aapko Bahut bachana hai, Ikhlaas ye hai Allah ke liye Kaam Karo , Ikhtaslaas ye hai Kaam ke ho Kar Kaam Karo, Jo Kaam ke Mizaaj ke khilaaf hai us Kaam se Apne Aapko bacha'o,*
*★•_ Idhar udhar ki Layaani Baato me na pado, Apne Aapko Kaam me itna Mashgool rakho k Fursat hi na mile, Kisi ko Kalma sikhana hai, Do Chaar ko Mulaqaat Kar ke Masjid me Lana hai, Zara Beth Kar Unko Dawat Dena hai, Hamara Majma Agar infiradi Dawat Ka Aadi na hua to Kisi Fitne Ka Shikaar hoga, Hamare Paas karne ke Bahut Kaam hai'n, Hamare Paas na karne ke kaamo ke liye Fursat nahi hai, Aath Ghante Masjid ko dena hai, Fir Karobaar bhi Karna hai, Bivi Bachcho ko bhi Dekhna hai, Hamare Paas Waqt Kaha’n hota hai? Aath Ghante har Musalman Se matloob hai, Aath Ghante Masjid ki Abaadi ke liye faarig Kare'n, Musalliyo se intehayi ikraam ke Saath,intehayi Narmi se aur Faza’il bata kar Waqt Ka Mutalba bata kar Tashkeel Kiya Karo,*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Teen Kaam Duniya me Reh Kar Karne Ke Hai’n- Dawat, ibadat Aur Taleem ,*
*↬• Isha ki Namaz ke Baad bhi Masjid ki Aabadi Ka Amal kiya ja sakta Hai Balki Karna Chahiye Sunnat hai, Isha ki Namaz Takheer Se hone per bhi Aap ﷺ Isha ke Baad Jaate they Añsàr ke Mohalle me, Khade khade Dair Tak Aap Ansar ko Hijrat ke Waqi’aat Sunnate, Is Raaste ki Takaaleef aur Faza’il batate,*
*★•_ Jo Musalman jab Jaha’n milega, Jis Waqt milega mulaqaat Karo, Ansar Raziyallahu Anhum Kaashtkaar they, Mulaqaat ke liye Isha ki Namaz Takheer Se hone ke baad bhi Aap ﷺ Ansar ke Mohalle me Jate they, Hamare Yaha’n to Isha ki Namaz Awwal Waqt me ho jati hai, Agar is faarig Waqt ko Dawat ibadat me nahi lagaoge to Ye Waqt Yaqeenan Kisi Gunaah me istemal hoga,*
*★•_ Isliye Apne Waqt ki hifazat karni hai, Layaani se bachna hai, Bahut Si cheeze be Asal hai'n, Mobile Ka Zamana hai, Pehle to Geebat karne ke liye kisi ke paas betha Jata Tha, Ab Halaat ye hai k Ek is Mulk me betha hai, Ek doosre Mulk me betha hai aur Geebat Chal rahi hai, Log kehte hai’n in Cheezo'n se Sahulat ho gayi hai, Mai’n Kehta hu’n k in Cheezo'n ne Gunaho'n ko ijtimayi bana diya,*
*★ _ Hadees me aata Hai Ek Aadmi ke jhoota hone ke liye Kaafi hai k Suni Hui Baat ko aage badha de, isliye Apne Aapko Aadi banao Dawat Ke Kaam Ka, Dawat me ibaadat me Ulma ki Majlis me Deen Seekhne me,*
*★_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte- Agar ye Teen Kaam na Hote, Ek Allah ke Raaste me firna na hota to Mai’n Duniya me Rehna pasand na karta, Ek Agar Allah ko Lambe Lambe Sajde Karna na hota to Mai’n Duniya me Rehna Pasand na karta, Aur Agar Ulma ki majalis me Beth Kar Unki Baato ko Sun Sun Kar istefada Karna na hota to Mai’n Duniya me Rehna Pasand na karta, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Zubaan per To Sahi Baat daali jati thi, Farishte Unki Zubaan per bolte they, Wo farma rahe hai’n k ye Teen Kaam Duniya me na Hote To Duniya me Rehne Ka koi maza nahi hai, Dawat, Taleem aur ibadat, isliye Apne Aapko is Tarteeb per, is Rukh per la kar ijtimayi Tor per Chalna hai, ( in Sha Allah )*
❦━━━━━━❀━━━━━❦.
*☞ _Rawangi Ki Aham Hidayaat-,*
*★_ 1- Ameer Ki ita’at :- Hum Nikal rahe hai’n Allah ke Raaste me, Hume Apne Ameer ki ita’at ke Saath Chalna hai, Ameer ki ita’at Ek Aham Masla hai, Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ko Aap ﷺ ne Uhad ke Maidaan me Us 40 Sahaba ki Jama’at Ka Zimmedar banaya jisko Jable Uhad per Muta’iyan kiya Tha, Inki ita’at Karna Allah ke Nabi ﷺ ki ita’at Karna Tha, Allah Ta’ala ne in 40 ke Nafarmani karne per Muhammad ﷺ Se le Kar Ek Aam Sahabi Tak Sabko Halaat me giraftaar Kar diya ,Sab per Halaat aaye,*
*★•_ Ye nahi k Majmu’a ki Nafarmani se Sirf Majmu’a bigdega, ya Sirf ek ilaaqe walo ne Esa Kiya hai Sab per Fark nahi padega, Saath Chalne wale Juzv ki Nafarmani Ka Asar Kul per padega, Aap dekhiye Uhad ke Maidaan me Sab per Halaat aaye, Sirf is per k Maidaan ke ek hisse ne, Ek Jama’at ke Chand Saathiyo’n ne Ameer ki ita’at nahi ki, is per Saara Maidane Uhad haath se nikal gaya,*
*★•_ Isliye Ameer ki ita’at ke Saath Chalo, Ameer jis Cheez Ka Hukm Kare usko Poora Karo, Jab Tak Tumhe Tumhara Ameer Namaz Chhodne per Aur Kufr per Amaada na Kare Us Waqt Tak uski ita’at Karo, Yaha’n Tak farma diya k ita’at me Itni Wus’at hai, Yaha’n to Karne ke kaamo me Ameer ki Mukhalfat hai, Waha’n ye farmaya k agar Wo Tumhe koi Hukm de hukm Poora Karo, Uski ita’at ki inteha yaha’n Tak hai jab Tak Wo Tumhe Kufr per Amaada na Kare, Namaz Chhodne Ka hukm na Kare ,*
*☞ _.2 – Duniya Ki Muhabbat Dil se Nikaalo :-•Hamara is Raaste me Chalna Khud Dawat hai, Nazre'n Nichi ho, Duniya ki Cheezo'n ko Muhabbat ki Nazar Se na Dekhna Varna Pehle Se Zyada Duniya ki Muhabbat le Kar Wapas jaoge, Jis Cheez ko dekho Samjho Mitti hone wali hai, Har Cheez ko Qabr ki Mitti aur Har Cheez ko Kaynaat ke khatm hone ke Tasavvur ke Saath dekhoge To Rafta Rafta Cheezo'n ki Muhabbat Dil se niklegi,*
*★•_Ye Raasta Bahut Mo’assir hai, is Raaste me Jis Cheez ko Sochoge Wo Haasil ho jayegi, Hadees me farmaya- Jo is Raaste me Jis iraade se niklega Wo Cheez mil jayegi, Allah aur Uske Rasool Nahi mile'nge, Is Raaste me nikal Raha hu’n Taki Muqadma jeet Jau’n, Qarz Ada ho Jaye, Fala'n Aurat se Shaadi ho Jaye, In iraado se kyu nikle, Allah aur Uske Rasool ke iraade se kyu na nikle ? Allah aur Uske Rasool ke iraade se nikalne wale Log Wo hai’n Jo Sivaye Hidayat ke Milne ke kisi aur Cheez ke Milne Ka iraada na Kare,*
*★•_ Ameer Ki ita’at ke Saath Chalna hai, Duniya ki Baate'n na ho na hi Duniya ki Niyat ho Sirf Hidayat Ki Niyat rakhe'n,Koi Cheez na khareedi Jaye Sivaye iske k koi Cheez Zarurat ki lene ke liye Ameer se ijazat lo, Ameer Mashwara Kare k Fala'n Cheez ki Zarurat aa gayi hai Aap Sabki Kya Raay hai ? Is Tarah Sabke ijtimayi Mashware se Zarurat ki Cheez leni Chahiye,*
*★•_ Apni Zarurat Ka Samaan is Tarah Saath le Kar Chalo k Khurooj ke Zamane me Ek bhi Zarurat ki Cheez ke liye Bazaar na Jana pade, Bazaar Jana sirf infiradi Dawat Ke Liye ho, Shaitan Bazaar le jayega, Tu To Ulma ki Ziyarat ke liye ja raha hai, Chalo Bazaar se ho Kar Chalo, Shaitaan Mashwara dega Hadiya Dena Sunnat hai Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya, Ulma ki Tazeem Karo, Tum To Ulma ke liye Bazaar ja rahe ho, Shaitan Bazaar me le ja Kar imaan ki A’amaal ki Aamdani ko khatm Kar dega, Shaitan Ahle Haq Per Haq ke Raaste se aata hai, Ulma ko Hadiya Dena hai, Saath le Kar Chalo, Yaha’n se Saath le Kar Jaoge To aur Ajar milega, ( in Sha Allah)*
*★-4,- Paydal zyada chalo*
*↬• Allah ke Raaste mai nikal Kar kisi se Sawal bhi na ho, israaf bhi na ho, Ijtimayi Tor per Jaha’n Ka Rukh bana hai Waha’n jao, Train mai, Bus mai Safar Karo Usool Adaab Ka Khayal rakho, Jaha’n Tak ho sake Paydal Chalo, Paydal chalna is Raaste mai Sawaari per Bahut Muqaddam hai, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Jese hi is Raaste mai Paydal chalne ke Faza’il Sune, Apni Sawariyo’n se Kood Gaye, Sabke paas sawari thi Lekin ek Sahabi bhi Sawari per chalta nazar nahi aa raha tha, Kyunki Elaan Kiya gaya Tha ijtimayi Tor per k Allah ke Raaste mai Paydal chalna Jahannam ki Aag ko Haraam Kar dega, Jo Jahannam ki Aag Ka Yaqeen rakhte they Sawari se utar Gaye k Paydal chalna Jahannam ki Aag ko Haraam Kar dega ,isse Behtar moqa Kya hoga ?*
*★• _Allah ke Raaste mai Paydal chalna Sabse Zyada Allah ke gazab ko thanda karne wala hai , Jahannam Jo Allah ke gazab Ka, Gusse Ka Sabse bada mazhar hai , Is Raaste ke Paydal chalne se Wo Jahannam Haraam ho sakti Hai to Duniya mai Jo Jahannam Ke Manazir hai’n Wo kese khatm na honge ? _ Hazrat Farmate they – Jaha’n Jaha’n Hamari Jama’ate A’amaal karti Hui jayengi, Waha’n Waha’n islami Abaadiya’n qaa’im hoti jayengi, Allah Ta’ala ne Ibrahim Alaihissalam se Awaaz lagwayi thi Hajj ke liye Paydal chal Kar Aao _,”*
.*★-5,- Maqami Logo ko Saath Le Kar Kaam Karo*
*↬• Jaha’n Ka Rukh bana hai Waha’n jao, Masjid mai Sunnat ke mutabiq dakhil ho’n, Waqt hai Makrooh Waqt nahi hai Asar ke Baad Ka waqt, Fajar ke Baad Ka waqt, to chahiye k Tahayyatul Masjid zaroor padhe, 2 Raka’at Tahayyatul Masjid padh Kar Imaam Sahab, Mo’ajjin Sahab, Khadim Sahab Jo bhi Waha’n ho intehayi ikraam ke Saath unhe Apne Mashware mai Shamil Kare’n, Inhe Saath Le’n ,Inka Bahut ahatmaam Kare’n aur Saath le Kar Kaam Kare’n, Jama’at ye na soche k ye hamara Kaam hai, imaam Sahab Ka Mo’ajjin Sahab Ka Kaam nahi hai, Imaam Sahab ke bager Namaz nahi padh sakte to Kaam kese Kar sakte ho ? Inhe Saath Le’n Aitmaad mai lo, Apni Jama’at ke aane Ka maqsad bataao, Is tarah Maqaami logo ko bhi Saath le Kar Mashwara Karo, Muqaami Saathi us Waqt nahi hai’n to Apna Mashwara kar lo ,Agle Mashware mai Maqaami logo ko bhi Saath Le’n , Maqaami Saathiyo’n se basti ke Halaat Maloom Karo, Basti ke log kab faarig Hote hai’n, Unke faragat ke Waqt mai Muqaami Saathi ko rehbar bana Kar Apne Saathi ko mutakallim bana Kar Jama’ate banao ,Aur Jama’ate bana kar Masjid mai Amal ho raha ho aur ye Jama’ate Bahar mulaqaate Kar ke Dawat de Kar Masjid ke mahol mai lane ki koshish Kare’n,*
*★-6,- Har Ummati Ki Tashkeel Kare’n _*
*↬• Har jagah se naqad Jama’ate nikaalni hai, Jinhe Aap Taiyaar Kar Le’n Unki Vasooliya’n Kare’n,Awaam ,Khawaas Sabse Mulaqaat Kare’n , Khawaas se mulaqaat ye bhi Gasht ki mulaqaat ki ek shakl hai, Aap Sallallahu Alaihivasallam Jaha’n Jaha’n Jate Waha’n ke Khawaas se bhi mulaqaat karte, is tarteeb se Hume bhi Ulma Kiraam aur Jo Khususiyat rakhte hai’n, basti ke bade ohdedaar, Siyasatdaan, Sabse Mulaqaat karni chahiye, Unko bhi Apne Saath Kaam mai Shareek Kare’n,*
*★• _ Tashkeel sabki Kare’n, kisi ke Duniyavi mashagil se mutassir na ho, Hume har Ummati Se uski Jaan Uska Maal uska Waqt Ek Tihaa’i matloob hai, Har saal Chaar Maah, mahana das din, Rozana Aath ghante ye har Ummati Se matloob hai, Agar Amali Tor per khud karoge to wasool Karna Asaan ho jayega, iski khoob jam Kar Dawat de’n, Fir Jo Jitne per Raazi ho Jaye usko qubool Kar lo, teen din bhi koi de qubool Kar lo, Masjid ke mahol mai rakh Kar Usko Chaar Mahine ke liye taiyaar Karo ,Ye nahi k chhutti Kar do, Jo Masjid ke mahol mai aa Jaye use aage bada'o, ye nahi k muddat poori kar ke waapas kar do, Sahaba Ka mamool tha Jisko mahol mai late they usko taraqqi dete they,*
*★_7,Asal Tarakki Kya Hai?,*
*↬• Amla Zimmedaro ke Saath lene se banta hai, isliye Apne ilaaqe, Apne Zile, Apne Soobo Ke Bado Se Talluq Hamesha rakho, Jab Tak Saare Aalam se aane wale Taqazo ke mahol mai nahi rahoge Us Waqt Tak Kaam karne wale Aalami Satah per nahi aayenge , Kaam mai Tarakki nahi hogi, Kaam karne wale aage nahi badenge ,ye Apne Mohalle per Gasht Kar ke samjhenge hamara Kaam poora ho gaya, Hamare mamulaat Poore ho rahe hai’n, Mamool Ka poora Karna Tarakki Ka zariya nahi hai, Ye Khayal Galat hai k mamool Ka poora Karna Tarakki Ka zariya hai, Nahi ! Ibadaat mai , A’amaal mai ,Azkaar mai, Dawat mai Har ek Amal mai Mamool se badh Kar Karna Tarakki hai ,*
*★• _ Aap dekhiye ! Dukaan chhoti thi badi ho gayi, Ek thi Chaar ho gayi, Pehle Feri lagata tha ab Karkhana bana liya, Duniya ke aitbaar se har aitbaar se Tarakki per hai, Dawat Ke Mamulaat Jis Satah per they Usi Satah per Aaj Tak hai’n ,Aur Dawat Ke Mamulaat ko poora kar lene ko Tarakki samajh rahe hai’n, _ Nahi ! Mere Doosto Buzurgo ! Har Cheez mai Apne Mamulaat se aage badhna Tarakki hai,*
.*★-8,Ummat Talab Per Hai*
*↬• Ahle Mashagil se, Duniyadaro Ki Duniya se Dawat dene mai Mutassir na hona chahiye, Hamare Kaam Ka maqsad Ummat ki Jaani, Maali aur Aqli Salahiyato ko Haq ki taraf fairna hai , Jo Salahiyate Duniya aur Duniya ki Cheezo mai Lag rahi hai, Un Tamaam Salahiyato Ko Deen Per lagane ke Liye Taiyaar Karna hai, Saari Duniya ki Naqal harkat ki taraf inki, salahiyato ko fairna hai Inke Maal Shadiyo’n per kharch karne ke liye nahi hai’n, Maal Allah ke Bando ko Allah se Jodne ke liye hai,*
*★• _ Ummat Talab per hai, Jab Ummat mai Talab Paida ho Jaye aur Ahle Deen Unki Talab ko poora na Kare Allah Ta’ala inse Sakht hisaab lenge, Meri Baat Yaad rakhna -Allah ne Jinko ilm diya hai, Jinko Maal diya hai agar Talab walo ki Talab inke zariye poori na Hui to Allah Ta’ala unko nahi pakdenge Jinko Talab hai balki Unko Pakdenge Jinki vajah se Talab poori nahi Hui, Hazrat Farmate they – Jo nahi Jaante hai’n Allah unko nahi pakdenge, Allah unko Pakdenge Jinhone Jaante hue Ummat ki Talab ko ilm ke aitbaar se poora nahi kiya, Ummat ki Talab ko Deen ki Dawat Ke Aitbaar se poora nahi kiya ,*
.*★_9, Mulko Ke Liye Tashkeel Kare’n*
*↬• Isliye jam kar Tashkeel Ki Jaye har jagah, Jaha’n bhi Aap Chaar Maah walo ko dekhe Aap unko Beroon ke liye taiyaar Kare, Zyada se zyada Kharch per Amaada Kare,Allah ke Raaste mai nikalne wali har Jama’at Jis tarah Muqaami Kaam ke liye Logo ko Taiyaar Kar rahi Hai’n ,Mulk ke andar ke liye Chaar Maah ke liye taiyaar Kar rahi Hai’n, Usi Tarah har nikalne wali Jama’at Chaar Maah lagaye hue Saathiyo’n ko Saare Aalam mai Firne ke liye naqad taiyaar Kare,*
*★• _ Ye har Jama’at Ka Kaam hai k Har Ummati ko ba aitbaar Aalam ke liye taiyaar Kare, Jis kharch per bhi Taiyaar ho Jaye Unko Waha’n ke Muqaami Saathiyo’n ke hawale Kar diya Jaye aur Muqaami Zimmedar Saathi unko Nizamuddin bhej de k Ye Jama’at Fala Basti se Taiyaar Hui hai, Ye inke Akhrajaat hai’n , Jaha’n Ka Rukh bhi Nizamuddin se Tay ho jayega in Sha Allah Waha’n ke liye niklenge, Is tarah Hume har jagah se naqad Jama’ate Apne Mulk ke liye , Berooni Mulk ke liye Chaar Mahine ke liye nikaalni hai, Chille ki Dawat mat Dena, Chaar Mahine ki hi Dawat Dena, Taki Ummat Samajh le k Har Ummati Se Tihaa’i Ka Mutalba hai, Agar Wo Chille ke liye aaye to qubool Kar Lena, (Waapas na Karna k nahi hum to Sirf Chaar Maah walo ko hi qubool karenge) Lekin Chille ke darmiyan Chaar Maah ke liye taiyaar karte rehna, Mahol mai aa Kar Aadmi aage badta hai,*
*★• _ Ummat se Tihaa’i Ka Mutalba hai, Tum Dhaa’i Ghante ki Dawat na Dena, Aath ghante ki Dawat Dena, Koi Dhaa’i Ghante de to qubool Kar Lena Taki Ummat mai is Baat Ka Ahsaas baqi rahe k hum Kam Kar rahe hai’n Hume zyada Karna chahiye, Kam ki Dawat Doge to Zyada Ka fikr na hoga, Zyada ki Dawat Doge to Kami Ka Ahsaas hoga,*
*★_10, Paanch A’amaal Ki Dawat ,*
*↬• Har Masjid mai Paa'nch A’amaal Ahatmaam se qaa’im karne hai’n, Jitni bhi Jama’ate Allah ke Raaste mai ja rahi Hai’n Ye Jama’ate Muqaami logo ke Saath mil kar Do Jama’ate bana le, Ek Jama’at Masjid mai rahe, Jisme Waha’n ke Muqaami Saathiyo’n ke Saath Do Saathi Apni Jama’at ke jod Kar isi tarah baqi Tamaam Saathiyo’n ki makhloot Jama’ate bana Kar Mohalle KE gharo mai, Daftaro mai ,Hotalo mai, Parko mai, har jagah mulaqaate karaye , Ek Jama’at Masjid mai Amal Kare baqi Saathi Bahar mulaqaate Kare’n, Tashkeel ijtimayi mahol chahti hai, Jab dekho Masjid mai log jama hai ,Muntakhab Ahadees mai se Allah ke Raaste ke Faza’il Suna Kar, Bahut se Faza’il zubani Yaad nahi rehte, Isliye Muntakhab Ahadees mai se Suna Kar Unko Allah ke Raaste mai nikalne ke liye taiyaar Kare’n,*
.*★_11, Waapas Lautne Walo Ko Hidayat*
*↬• Ek bada Majma Yaha’n se waapas Jane Wala hai, Avval to is per istagfaar Kare’n Kyunki Sahaba ki ye tarteeb nahi thi K Masjid mai jama ho Kar Koi waapas Chala Jaye,Sofi sad Sahaba nikal Jaya karte they, Wo Munafiqeen Jo ek doosre ko Lekar bager kisi Ujr ke khisak Jaya karte they , Allah na Kare ,Allah na Kare ! hum khisakne wale nahi hai’n, Hum jamne wale hai’n, Masjide Nabvi mai So fisad Sahaba nikalne ke liye jama Hote they,*
*★• _ Hum Ajm Kare , iraade Kare, in Sha Allah Kaam ko Kaam bana Kar karenge, Fursat to Maut Tak nahi milegi, Hume Apne Aapko Duniyavi Taqazo se nikaalna padega, Sabse Asaan Raasta Waqt faarig karne Ka Deen se aur Deen Ke Kaam se, Dawat Ke Kaam se, Duniyavi kaamo ke liye Waqt nikala Karo, Bas tarteeb Palat loge to Mai’n Khuda ki qasam Khaa Kar Kehta hu’n, Sabke liye Asaan ho jayega, Abhi mushkil ye hai k Hum Tashkeel bhi karte hai’n to kehte hai’n k Bhai Apne Duniyavi Waqt mai se Kuchh Waqt Deen Ke Liye faarig Karo , Ye nikamme pane ki Baat hai, Jis Kaam ke liye Allah ne bheja tha, Us Kaam ke liye Waqt nikalwate hai’n Us Kaam mai se Jiske liye bheje nahi Gaye hai’n, Tarteeb ulti hai , Vasooliya’n bhi Galat tarteeb se ho rahi Hai’n, Targeeb bhi Galat di ja rahi Hai, Duniya se Waqt nikaalo Deen Ke Liye ,Ye na kaho balki Yu’n kaho Hum Deen aur Dawat mai se kuchh Waqt nikaale Duniya ke liye ,Ye Asal Sahaba ki Tarteeb hai,.*
*★_12, _Saari Duniya Ki Bastiya’n Madina Munawwara Ke Mamool per Aaye*
*↬• Agar Humme se sab ijtimayi Tor per Tashkeel Ka Rukh ye bana le ,Jo Rukh Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Ka tha to in Sha Allah Asaaniya’n nazar aayengi, Aur Duniyavi kaamo mai Farishte aa Kar Madad karenge, Ye Hadees se Saabit hai k Jo Allah ke Bando ko Allah ka Paigaam Pahunchane mai lagte hai’n aur Masjido ko Aamaal se Aabaad karte hai’n Allah Unke Duniyavi kaamo mai Farishto ko madadgaar bana dete hai’n, Isliye Jo waapas ja rahe hai’n, Ajm Kare iraade Kare k Apni Masjido ko Paa'nch A’amaal aur Apne Gharo mai Paa'nch A’amaal Pabandi se Karenge, Saari Duniya ki Bastiya’n Madina Munawwara ke Mamool per aa jayengi agar Saari Duniya ki Masjide Masjide Nabvi ke mamool per aa Jaye,*
*★• _Aap Mehnat karenge to Aapki Mehnat ,Aapki koshish logo ki Galat fehmiyo ko door karne Ka Asal zariya banengi, Agar Logo’n ki Galat fehmiyo ko Beth Kar samjha Kar door Karna chahoge kabhi nahi hogi, Galat fehmi ko door karne Ka Sabse Asaan Raasta ye hai k Tum unhe Apni Masjid mai Amal Kar ke dikhla do,Jab Tak Amali Shakl saamne nahi hogi ye ikhtilaf badta jayega aur baat per baat nikalti chali jayegi, Baato se masle Hal nahi honge masle Ka Hal Kaam se hoga,*
*★_13, _Raasto Ko Tang na Karo:- Hadees mai Ek Esi Shart laga di gayi hai, Agar us Shart ko poora na Kare to Khuda na Kare Mehnat Zaaya bhi ho sakti Hai,*
*★•_ Is Hadees ko har qadam per Har moqe per Yaad rakhe, Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahabi se Jo Elaan Karne per Muta’iyan they, Unse Elaan Karwaya –( Hadees Ka Mafhoom hai) Ja’o Sahaba mai Ja Kar elaan Kar do k Jo Sahabi Doosro ke liye Raasto ko band karenge Ya Jagah ko tang karenge Unka Allah ke Raaste me nikalna Allah ke yaha’n qubool nahi hoga, Mere Aapke Sabke darne ki Baat hai, Chalne mai iska Bahut dhyaan rakhna padega, Kisi ki Khaiti ko, Kisi ke Ghar ko Kisi ke Raaste ko, Kisi ki gaadi ko koi nuqsaan na pahunche, Jaha’n Kahi bhi chhota bada ijtima hua Kare Waha’n ke Zimmedar is Hadees ko zaroor Bayan kar Diya Kare,*
*★• _ Hukumato ke Jo traffic Ka nijaam hai ,Isko Apne ijtima ke zaam mai aa kar k ijtima to hamara hai, Hazrat Farmate they – Hukkaam ko Mutma’in Karo, Ye Tumhare Kaam mai Mu’awin honge _,” Isliye Waapas Jane mai hum Traffic ke nijaam ki ri’ayat Kare’n, Traffic ke nijaam ki ri’ayat Karna Jaan bachane ki garz se farz hai, Ye Hukumat Ka qanoon nahi hai ye Shari’at Ka qanoon hai, Traffic ke nizaam ki mukhalfat Shari’at ki mukhalfat hai Kyunki Traffic Ka nijaam Hifazat ke liye hai, Hamara Kaam karne Wala, Wo kisi bhi shobe mai Hukumat mai hai, ya kisi Daftar ke kisi department mai hai, Kaam karne walo ki Zimmedari hai k Dawat ke Kaam ko Unke Shobe mai lane mai Unke Shobe ke bado ko poori tarah Mutma’in Kiya Jaye Aur intezam karne walo ke liye bhi Allah se Hidayat ki, Ajr ki Dua Karna ye bhi hamari Zimmedari hai,*
*#_ Alhamdulillah Mukammal hua_,*
*💤 Admin Ki Diary - Haqq Ka Daa'i, (Markaz Nizamuddin)*
╨─────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
*❥✍ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments