╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
🔥 *JAHANNAM KE AHWAAL* 🔥
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ _ Jahannam Ke Halaat _,"*
*✪_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-*
*“__ Jahannam Ko laya jayega us Din Uski Sattar Hazaar Lagaame’n hongi , Aur har Lagaam Ke Saath Sattar Hazaar Farishte honge Jo Usko Kheench rahe Honge _,”*
*®_ Tirmizi _2/ 81 _,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ _ Jahannam Se Ek Gardan Niklegi _,*
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k,*
*“_ Qayamat ke Din Dozakh se Aag ki ek Gardan Niklegi Jiski Do Aankhe hongi Jo dekh rahi hongi , Do Kaan honge Jo sun rahe Honge, aur Ek Zubaan hogi Jo Bol rahi hogi ,*
*:➻ Wo Kahegi – Mujhe Teen ( qism ke ) Shakhso per muqarrar Kiya gaya hai – Har sarkash Ziddi per , Har Us Shakhs per Jo Allah ke Saath kisi aur ko Ma’abood pukaare Aur Tasveer Banane walo per _,”*
*®'_ Tirmizi – 2/81_,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ _Jahannam Ki Gehraayi _,*
*✪_ Hazrat Hasan Basri Reh. Farmate hai’n k _Hazrat Utba bin Gazwaan Raziyallahu Anhu hamare is minbar per Yani Basra ki jama Masjid ke minbar per , Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye irshad sunaya k : _*
*“_ Ek Badi Chattaan Jahannam ki munder se daali Jaye aur Wo Jahannam mai Sattar Baras girti rahe tab bhi uski Gehraayi Tak nahi pahunchegi _,*
*✪_Aur Hazrat Hasan Basri Reh. Farmate hai’n k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte they k – Dozakh Ka zikr ba kasrat Kiya Karo , Kyunki uski Garmi Bahut shadeed hai ,iski Gehraayi Bahut zyada hai aur Uske Hathode Lohe ke hai’n _,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/81 _,*
☞ *Allahumma Ajirna Minannaar ,Ya Allah Hume Jahannam Ki Aag Se Bacha -( Aameen )*,
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻Jahannam mai Aag Ka Pahaad _,*
*✪_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai’n k ( Qur’ane Kareem mai Jo hai – An qareeb Hum chadhayenge us Kafir ko Chadhayi per , is Lafz ” Sa’ud ” ki Tafseer karte hue ) Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-*
*“__ Sa’ud Aag Ka Pahaad hai, Jis Per Sattar Baras Tak Kafir Chadhta rahega , Fir gir jayega, ( Fir Sattar Saal Tak Chadhta rahega, fir gir jayega ) isi tarah Hamesha hota rahega _,”*
*🗂 Tirmizi – 2/81 _,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Dozakh mai Dozakhiyo’n Ki Jismaat-
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-*
*➻“__ Allah Ke Nafarmaan ki daadh Qayamat ke Din Uhad Pahaad jesi hogi , aur uski Raan Bayza Pahaad ke barabar hogi , aur Uske bethne ki jagah ( itni wasi hogi k ) Teen Din ki musafat ke barabar hogi Jitni k Madina Tayyaba se Rabazah Ki musafat hai _,”*
*🗂 (Mafhoom Hadees) Tirmizi – 2/ 81 _,*
*✪_Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k –*
*“__ Allah Ka Nafarmaan Apni Zubaan Ko ghaseet ta hua chalega Jo Teen Teen (3-3) aur Chhe Chhe (6-6 ) Kos Tak faili Hui hogi, Log usko Paanv tale rondte honge _,”*
*🗂 Mafhoom Hadees Tirmizi- 2/ 81-82 _,*
*✪_ Tashreeh _, Ye galiban Maidane Hashr mai hoga k Kuffaar Duniya mai Haq Ta’ala Shanhu ki Aayaat aur Ambiya Alaihissalam ke bare mai Zubaan Darazi karte they , isliye Unko ye saza mili k Kutte ki tarah unki Zubaan Bahar nikal aayi aur Zubaan Darazi ke ba-qadar Teen Teen aur Chhe Chhe Kos Tak failegi ,*
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-*
*“__ Allah Ke Nafarmaan ki khaal ki Jasamat Biyalees ( 42 ) gaz hogi aur uski Daadh Uhad Pahaad ke barabar hogi aur Jahannam mai iske bethne ki jagah itni hogi jitna faasla Makka v Madina ke darmiyan hai _,”*
*🗂 Mafhoom Hadees Tirmizi – 2/82 _,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Dozakhiyo’n Ke Pine Ka Bayan -,*
*✪_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Qur’ane Kareem ke irshad ”Kaalmuhli” Ki Tafseer mai farmaya k :-*
*“__ Isse Muraad Zetoon ki Talchhat ki si Cheez hai , Wo is qadar garam hogi k Jab Dozakhi use Apne moonh ke qareeb layega to Uske Chehre ki khaal pighal kar usme gir padegi _,”*
*🗂 Tirmizi _2/ 82 _,*
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-*
*➻“_ Jahannam mai Kholta hua Paani Dozakhiyo’n Ke Saro per daala jayega , Pas Wo Saro se Nafooz Kar jayega , Yaha’n Tak k Jab pet Tak Pahunchega to pet ke andar ki Tamaam antdiyo’n ko baha le jayega , Yaha’n Tak k wo Dozakhi ke qadmo se nikal jayengi , aur Yahi ” Sahar ” hai , Jisko Qur’ane Kareem ki is Aayat mai Bayan farmaya hai –*
*”__يُصْهَرُ بِهِ مَا فِي بُطُونِهِمْ وَالْجُلُودُ _,*
*(Surah Al-Hajj, Aayat 20)*
*✪_ Tarjuma:- isse unke Pet ki cheeze ( Antdiya’n ) aur ( unki ) khaale sab gal jayengi _,” ( Tarjuma Hazrat Thanvi Reh. )*
*➻"_Fir dobara Sahbara uske Saath yahi Maamla Kiya jayega _,”*
*🗂 Mafhoom Hadees- Tirmizi _ 2/82 _,*
*✪_ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Aayate Kareema :-*
*”_وَيُسْقَىٰ مِن مَّاءٍ صَدِيدٍ يَتَجَرَّعُهُ _,”*
*( Surah Ibrahim, Aayat 16-17 )*
*”_ Tarjuma_,_ Aur Usko Dozakh mai esa Pani pine ko diya jayega Jo k Peep Lahu ( ke ) mushabe hoga Jisko ghoont ghoont Kar ke piyoge _,”*
*✪_(Aayaat) Ki Tafseer mai farmaya k :- Ye Pani Dozakhi ke moonh ke qareeb Kiya jayega ,Wo usse ghin Karega, Fir Jab uske moonh se Lagaya jayega to uske Chehre ko bhoon dega aur Uske Sar Ka chamda gir jayega, Fir jab wo use piyega to wo uski antdiyo’n ko kaat daalega hattaki pichhle Raaste se nikal jayegi _,*
*✪_Haq Ta’ala Shanhu Farmate hai’n :-*
*”_ وَسُقُوا مَاءً حَمِيمًا فَقَطَّعَ أَمْعَاءَهُمْ_,”*
*(Surah Muhammad, Aayat 15 )*
*”_ Tarjuma,_ “…Aur Kholta hua Paani unko pine ko diya jayega , so Unki antdiyo’n ke tukde tukde Kar dega _,”*
*✪_Haq Ta’ala Shanhu Farmate hai’n :-*
*_ وَإِن يَسْتَغِيثُوا يُغَاثُوا بِمَاءٍ كَالْمُهْلِ يَشْوِي الْوُجُوهَ بِئْسَ الشَّرَابُ وَسَاءَتْ مُرْتَفَقًا _,”*
*(Surah Al-Kahf, Aayat 29 )*
*Tarjuma, _ Aur Agar ( Pyaas se ) faryaad karenge to ese Paani Se Unki faryaad rasi ki jayegi Jo tel ki Talchhat ki tarah hoga, Moonho ko bhoon dalega ,Kya hi bura Paani hoga aur Dozakh bhi Kya hi Buri jagah hogi _,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/ 82 _,*
*✪_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Qur’ane Kareem ke Lafz ” كَالْمُهْلِ ” Ki Tafseer mai farmaya k ,Wo Rogane Zaitoon ki Talchhat ki tarah hoga , Pas Jab uske ( Yani Dozakhi ke ) qareeb laya jayega to uske Chehre ki khaal usme gir padegi _,*
*✪_Neez Dozakh ke Pardo’n ke bare mai farmaya k , Ye Chaar Diwaare hongi ,Har Diwaar ki motayi Chalees Saal ki musafat ke barabar hogi _,”*
*✪_Neez Farmaya k , Gasaaq Ka ek Dol agar Duniya mai udel diya Jaye to Tamaam Ahle Duniya Badbudaar ho Jaye _,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/ 82 _,*
*✪_ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye Aayate Kareema Tilawat farmayi :-*
*”_ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ _,”*
*( Surah Aal-e-Imran, Aayat 102 )*
*Tarjuma:- _ Ey imaan Walo ! Allah Ta’ala se dara Karo Jesa Darne Ka Haq hai , aur Bajuz islam ke aur kisi haalat per Jaan mat Dena _,”*
*✪_Aur irshad farmaya :- Agar Zaqoom Ka ek qatra is Duniya mai tapka diya Jaye to Ahle Duniya per Unki Zindgi Ajeeran Kar daale ,fir us Shakhs Ka Kya haal hoga Jiska ye Khana hoga ?_,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/ 82 _,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻Dozakhiyo’n Ke Khane Ka Bayan -_,*
*✪_Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k- Dozakhiyo’n per Bhook musallat Kar di jayegi Jiski Aziyat us azaab ke barabar hogi Jisme Wo pehle se mubtila honge , Chunache Wo Bhook se betaab ho kar khane ki faryaad karenge, aur Unki faryaad rasi ” Zari ” ke khane se ki jayegi Jo na farba Kare ,na Bhook ko dafa Kare,*
*✪_ Pas Wo dobara faryaad karenge, Ab Unki faryaad rasi ese Khane se ki jayegi Jo Gale mai atak jaye, us Waqt unko Yaad aayega k Duniya mai jab Unke Gale mai koi Cheez fans jati thi to Wo pine ki kisi Cheez ke zariye use Halaq se utaara karte they , Chunache Pani ki iltija karenge, Tab unko Kholta hua Paani zambooro ke zariye pakdaya jayega , Pas jab garam Pani ke Wo Bartan Unke moonh ke qareeb pahunchenge to Unke chehro ke gosht ko bhoon dalenge,*
*✪_Aur Jab wo Pani Unke pet mai dakhil hoga to Unke pet ke andar ki cheezo ( antdiyo’n vagera ) ko tukde tukde Kar dalega, Pas Wo betaab ho Kar kahenge k – Dozakh per muqarrar Farishto ko pukaro , Jab Farishto ko pukarenge to Farishte jawab denge k – Kya Tumhare paas Tumhare Rasool waaze Dala’il le kar nahi aaye they ? ( Aur unhone Tumhe Gunaah chhodne aur Allah Ta’ala ki ita’at karne ki Talqeen nahi ki thi ? ) Wo kahenge – Ji ! Rasool to hamare paas aaye they ( Magar humne Unko jhoota samjha aur Unki Baat na maani )*
*"_Farishte kahenge – fir tum pade pukaarte raho ( ab tumhari cheekh v pukaar bekaar hai Kyunki Tumne Ambiya ke muqable mai Kufr kiya ) aur Kaafiro ki pukaar Mahaz raayga hai,*
*✪_Ab Wo Aapas mai kahenge k – Daroga e Jahannam , Maalik ko pukaaro ! Chunache Wo Maalik ( Daroga e Jahannam ) ko pukarenge k– Ey Maalik ! Aapne Rab se Kaho k Wo hamara faisla kar de ( Yani Hume maut de de ) Maalik unko jawab dega k -( nahi ! Balki ) tum Hamesha isi haalat mai rahoge ( Maut ko Maut aa chuki Hai isliye ab kisi Dozakhi ko Maut nahi aayegi )*
*✪_Imaam A’amish Reh. Farmate hai’n k : – mujhe bataya gaya k Dozakhiyo’n Ke Maalik ko pukaarne aur Maalik ke ( Mazkoora ) jawab dene ke darmiyan Hazaar saal Ka waqfa hoga ( Yani Hazaar Saal Tak Wo Maalik ko pukaarte rahenge aur Hazaar Saal Ke Baad jawab milega to ye k – Bak Bak mat Karo ! Tum per Maut nahi aayegi,balki Tumhe Hamesha isi haalat mai rehna hai )*
*✪_Maalik Daroga e Jahannam Ka maayoos kun jawab sun Kar Aapas mai kahenge k – Ab Apne Rab hi ko bila waasta pukaaro , Kyunki Tumhare Rab se Behtar to koi nahi hai , Chunache Wo iltija karenge :- Ey hamare Parwardigaar ! Hamari bad bakhti hum per gaalib aa gayi aur koi shak nahi k hum gumraah rahe, Ey hamare Parwardigaar ! Hume us Dozakh se nikaal de ,agar dobara humne Wahi Kiya Jo pehle karte they to hum bade Zaalim honge,*
*✪_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Ab wo har taraf se mayoos ho Kar ghadhe ki tarah Awaaz nikaalne aur Hasrato veel pukaarne lagenge _,”*
*🗂 Tirmizi -2/ 82 ,*
*✪_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Aayate Kareema “_Wa hum Feeha Kaalihoona _,” ( Aur us {Jahannam} mai unke moonh Bigde honge ) Ki Tafseer mai farmaya k :-*
*➻"_Aag Nafarmaan ko jhulas degi ,Pas uska ouper Ka Ho'nt sikud kar sar ke darmiyan Tak pahunch jayega aur Niche Ka Ho'nt latak Kar uski naaf se ja lagega _,”*
*🗂 Tirmizi – 2/ 82 _,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Dozakh Ki Zanjeero’n Ki Lambayi _,*
*✪_Hazrat Abdullah bin Amru Bin A’as Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Khopdi Ki taraf ishara karte hue farmaya k –*
*➻“_ Agar is Khopdi Ki misl Seese Ka gola Asmaan se Zameen per fainka Jaye to Raat se Pehle Zameen per aa rahega , Halanki ye Paanch so Saal ki musafat hai aur Agar Yahi Seese Ka Gola Zanjeer Ke sire se fainka Jaye aur Chalees Saal Tak Din Raat Chalta rahe tab bhi uski inteha Ko ( Ya farmaya k uski teh Tak ) nahi pahunchega _,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/ 82-83 _,*
*✪_ Qur’an E Kareem mai Dozakh ki un Zanjeero’n Ka zikr hai Jinme Jahannamiyo’n Ko Jakda jayega :- (Surah Al-Haaqqa, Aayat 32)*
*”__ثُمَّ فِي سِلْسِلَةٍ ذَرْعُهَا سَبْعُونَ ذِرَاعًا فَاسْلُكُوهُ_’,*
*(Tarjuma)_, ….Fir ek Esi Zanjeer mai Jiki Paimaish Sattar gaz hai Usko Jakad do _,”*
*✪_ Qur’an E Kareem mai in Zanjeero’n ki Paimaish Sattar gaz zikr farmayi gayi, Allah Ta’ala hi Behtar Jaante hai’n k khud us gaz ki Lambayi kitni hogi ? Aakhirat Ke umoor Ka qayaas aur andaza Duniya ke kisi paimane se nahi kiya ja sakta, Algarz ! Is Hadees mai farmaya gaya Hai k Jo Cheez Paanch so saal ki musafat Sirf ek Din mai Raat se Pehle Tay Kar sakti Hai, Wohi Cheez Dozakhi Zanjeer ki musafat ko Chalees Saal mai bhi Tay nahi Kar sakti, isi se iske Tol Ka kuchh andaza ho Sakta Hai,*
*✪_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Seese ke Gole Ka zikr batore Khaas isliye farmaya k Seesa nihayat Vazni dhaatu hai aur Cheez Jitni zyada Vazni ho usi qadar sar’at se niche ko girti hai , Khususan Jabki Gole ki shakl mai ho to uski raftaar aur bhi text ho jati hai _,” ( Wallahu A’alam )*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Duniya Ki Aag Jahannam Ki Aag Ka Sattarva Hissa Hai _,*
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Aan Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Naqal karte hai’n k tumhari ye Aag Jisko tum Roshan karte ho , Jahannam ki Aag Ka Sattarva Hissa Hai,*
*"_Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz Kiya:- Ya Rasulallah ! Wallaah ! Jalane ko to Aag hi Kaafi thi,*
*"_Aan Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Wo Dozakh ki Aag is Duniya ki Aag se Unsath guna badhayi gayi hai k un Sattar Guno mai se har hissa uski Tapish ke barabar hai _,”*
*🗂 Tirmizi – 2/ 83 _,*
*✪_ Tashreeh _, Matlab ye k Jalane ko Duniya ki Aag bhi Kaafi thi , Magar Duniya ki Aag Ka Dozakh ki Aag se koi muqabla hi nahi, Goya Duniya ki Aag Dozakh ki Aag se Unsath darja thandi hai,*
*✪_Imaam Gazali Reh. Farmate hai’n k Agar Dozakhiyo’n Ke saamne Duniya ki ye Aag zaahir ho Jaye to Raahat haasil Karne Ke Liye daud kar usme ghus Jaye _,”*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Jahannam Ki Aag Hazaaro Saal Tak Dahkaayi Gayi _,*
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai’n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya –*
*➻“__ Jahannam ki Aag ko ek Hazaar Saal Tak Dahkaaya gaya, Yaha’n Tak k wo Surkh ho gayi , Fir Ek Hazaar Saal Tak Dahkaaya gaya , Yaha’n Tak k Safed ho gayi, Fir Ek Hazaar Saal Tak Dahkaaya gaya Yaha’n Tak k Siyaah ho gayi, Pas ab Wo Kaali Siyaah Tareek hai _,”*
*🗂 Tirmizi – 2/ 83 ,*
*✪_Tashreeh: _ Dozakh Ka Siyaah aur Tareek hona zyada Wahshat v Azaab Ka mojib hai ,Is Hadees se maloom hua k Jannat aur Dozakh paida ho chuki Hai, Qayamat ke Din Paida nahi ki jayegi ,Ahle Haq Ka yahi Aqeeda hai,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻Jahannam Ki Aag Ke Do Saans lene Ka Bayan_,*
*✪_Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :-*
*":➻ Dozakh ne Apne Rab se Shikayat ki k mere ek hisse ne doosre hisse ko Khaa liya hai, Pas Allah Ta’ala ne usko Do Saans lene ki ijazat di, Ek Saa'ns Sardi ke Mausam mai aur Ek Saa'ns Garmi ke Mausam mai, Pas Sardi mai uska Saans Lena Zamhareer hai aur Garmi ke Mausam mai uska Saa'ns Lena Loo hai _,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/ 83 ,*
*✪_Tashreeh _, Mere ek hisse ne doosre hisse ko Khaa liya hai , isse Dozakh ki Garmi aur Tapish ki shiddat muraad Hai, is Hadees se maloom hota Hai k Sardi aur Garmi Ka Nizaam Dozakh ke Saans lene se waabasta hai, Jabki iska Zaahiri Sabab Suraj Ka qareeb aur door hona hai, Dar Asal Kaaynaat mai Jo silsila e Asbaab kaar farma hai’n Uski Baaz Kadiya’n to Aam logo ke liye bhi zaahir hai’n aur Baaz Esi makhfi hai’n k Jo insaani Aqal se bhi door hai’n , isliye ye kehna Sahi hoga k Garmi aur Sardi Ka silsila E Asbaab Sirf Suraj Tak mehdood nahi hai balki ye silsila aage badh Kar Dozakh ke Saans lene Tak pahunchta hai,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Ahle imaan Ko Dozakh se Nikaalne Ka Hukm _,*
*✪_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ( Haq Ta’ala Shanhu ki jaanib se irshad hoga :- )*
*➻"_Us Shakhs ko Dozakh se nikaal lo Jisne ”Laa ilaaha illallaah ” Ka iqraar kiya aur Uske Dil mai Jo ke barabar ( bhi ) Khayr thi ( Yani imaan Tha , Chunache ese Tamaam logo ko nikaal liya jayega, Fir Hukm hoga k :- ) har us Shakhs ko nikaal lo Jo ”Laa ilaaha illallaah” Ka qaa’il tha aur Uske Dil mai Gandum ke daane ke barabar ( bhi ) Khayr thi, ( Fir Hukm hoga k Us Shakhs ko Dozakh se nikaal lo Jo ”Laa ilaaha illallaah” Ka qaa’il tha aur Uske Dil mai Jwaar ke daane ke barabar Khayr thi ,”*
*🗂 Tirmizi _2/ 83 ,*
*✪_ Tashreeh _, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ki ye Taveel Hadees Shafa’at Ka ek hissa hai, Jab Dozakhi Dozakh mai aur Jannati Jannat mai chale jayenge aur Kuchh Ahle Toheed gunahgaar bhi Dozakh mai honge , Ab Allah Ta’ala Apni Rehmat se un Gunahgaro ko dozakh se Nikaalne Ka iraada farmayenge ,To Unke Haq mai Shafa’at ki ijazat denge,*
*✪_ _Aap Sallallahu Alaihivasallam, Anbiya Alaihissalaam, Malayka Azaam ,Siddiqeen ,Shohda, aur Ahle imaan Apne Apne martabe ke mutabiq Shafa’at farmayenge aur Haq Ta’ala Shanhu ki jaanib se hade muqarrar kar di jayengi ,Maslan Jis Shakhs ke Dil mai Dinaar ke vazan ka imaan ho usko nikaal lo ! Jiske Dil mai nisf Dinaar ke barabar imaan ho usko nikaal lo,*
*✪_ Isi tarah Tarteebvaar Ahkamaat saadir honge , Yaha’n Tak k Aakhir mai farmaya jayega k :- Jis Shakhs ke Dil mai Raa’i ke daane se adna martabe Ka bhi imaan ho usko nikaal lo ! Ye hukm Farishto ko hoga , Aakhir mai Farishte arz karenge k _Ey Parwardigaar ! Humne Dozakh mai kisi Sahibe khayr Yani Sahibe imaan ko nahi chhoda, Tab Haq Ta’ala Shanhu farmayenge :- Farishto ne bhi Shafa’at Kar li ,Nabiyo’n ne bhi Shafa’at Kar li ,Ahle imaan bhi Shafa’at kar chuke ,Ab Sirf Arhamar Rahemeen baqi hai,*
*✪_ Ye farma Kar Allah Ta’ala Dozakh se ek mutthi bharenge ( aur Baaz Ahadees mai Teen mutthi Ka zikr aata hai ) Pas us mutthi ke zariye ese logo ko dozakh se nikalenge Jinhone kabhi Khayr Ka koi Kaam nahi Kiya , Galiban darjaate imaan ke liye kuchh alamaat hongi, Jinke zariye Farishte Ahle imaan ke Darjaat ko pehchanenge aur Jin logo mai Farishto ko imaan ki koi Alaamat nazar nahi aayegi unko Haq Ta’ala Shanhu ba zaate khud nikalenge , ( Wallahu A’alam )*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Sabse Aakhir mai Dozakh se Nikalne Wale Ka Qissa _,*
*✪_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :- Mai’n us Shakhs ko pehchanta hu’n Jo Sabse Aakhir mai Dozakh se niklega , Ye Esa Shakhs hoga Jo Rengte hue Dozakh se niklega , Pas Wo kahega k – Ey Parwardigaar ! Sab log Apni Apni manzile haasil kar chuke hai’n , Usse Kaha jayega k – Jannat ki taraf jao aur Jannat mai dakhil ho Jao !*
*:➻ "_Wo Jannat mai dakhil hone ke liye jayega to logo ko Payega k Wo Apni manazil haasil Kar chuke hai’n, Waapas aa Kar kahega k – Ey Parwardigaar ! Log to Saari Jagah le chuke hai’n ( aur ab Waha’n gunzaish hi nahi ) usse kaha jayega k – Tujhe Wo Zamana Yaad hai Jisme Tu raha karta Tha ? Arz Karega – Ji Haa’n ! Kaha jayega – Tamanna Kar ( aur Maang Kya maangta hai ? ) Wo (Apne hosle ke mutabiq ) Tamanna Karega,*
*:➻ "_Pas usse kaha jayega :- Tune Jitni Tamannaye ki Hai’n Wo tujhe di jati hai aur Uske Saath Duniya se das ( 10 ) guna badi Jannat di jati hai ,Wo ye Sun Kar kahega k :- Aap Maalikul Mulk ho Kar mujhse Mazaaq karte hai’n ?*
*"_Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha k Aap Sallallahu Alaihivasallam ( uska fiqra Bayan farma Kar ) Hanse, Yaha’n Tak k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kuchliya’n zaahir ho gayi _,”*
*🗂 Tirmizi _ 2/83 ,*
*✪_ Tashreeh:- Us Shakhs Ka qissa mukhtasar Yaha Naqal hua hai , Sahih Bukhari v Muslim ki Hadees mai Bahut mufassal hai , us Shakhs Ka ye Kehna k – Maalikul Mulk ho Kar mujhse Mazaaq karte hai’n ? Rehmate ilaahi per naaz aur farte masarrat ki vajah se hoga ,Wo bechara ye samjhega k Jannat to Saari bhar chuki Hai Waha’n itni gunzaish kaha k itna bada hissa usko de diya Jaye, fir Shayad ye vajah bhi ho k Wo itni badi Jannat ko Apni haisiyat se Bahut zyada samjhe , Bahar haal ye adna Jannati ke Saath Haq Ta’ala Shanhu ki Rehmat v inaayat hogi ,Hazraate Ambiya Kiraam Alaihissalaam aur Digar Akaabir per Haq Ta’ala Shanhu ki inaayato aur rehmato Ka Kon tasavvur Kar Sakta Hai __,?*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Rehmate Khudawandi Sayyaat Ko Hasanaat mai Badal degi _,*
*✪_ Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu farmate hai’n k – Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k – Mai’n Us Shakhs ko pehchanta hu’n Jo Sabse Aakhir mai Dozakh se niklega aur Sabse Aakhir mai Jannat mai dakhil hoga , Ek Aadmi ko laya jayega,Haq Ta’ala Shanhu Farishto se farmayenge k –*
*➻"_Iske Sageera Gunaah ke bare mai Sawal Karo aur Uske Kabeera gunaah chhupa rakho , Chunache usse kaha jayega k Tumne Fala Fala Din Fala Fala gunaah kiye they aur Fala Fala Din Fala Fala gunaah kiye they ? ( Ye Tamaam gunaah Jataane ke Baad ) usse kaha jayega k -Tujhhe har Burayi ki jagah Neki di jati hai, Wo ( Rehmate ilaahi ki farawani ko dekh Kar ) bol uthega k – Ya Allah ! Maine aur Bahut se gunaah kiye they Jo yaha’n nazar nahi aa rahe !*
*➻"_Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu farmate hai’n – Maine dekha k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ( isko Bayan farma Kar) Hans rahe hai’n yaha’n Tak k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kuchliya’n zaahir ho gayi _,”*
*🗂 Tirmizi _2/83 _,*
*✪_Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k – Ahle Toheed mai se kuchh logo ko dozakh mai azaab diya jayega , yaha’n Tak k wo jal kar koyla ho jayenge , fir Rehmat Unki dastgeeri farmayegi , pas unko nikaala jayega aur Jannat ke darwazo per daala jayega ,Ahle Jannat un per Paani dalenge, Pas Wo ese ugenge Jese Sailaab ke koode mai daane ugte hai’n, fir Wo Jannat mai dakhil kiye jayenge _,”*
*🗂 Tirmizi _2/ 83 ,*
*✪_Tashreeh _, Jannat Ke darwaze per Aabe Hayaat ki nehar hogi, Jisme Jahannam Se koyla ban Kar nikalne wali ko Gusl diya jayega , isse Dozakh ki Aag Ke asraat dhul jayenge aur Un per Jhat Pat taro taazgi ke Asaar namoodaar ho jayenge, Ye Hazraat Paak Saaf ho Kar Jannat mai dakhil honge,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Ahle imaan Ki Dozakh se Rihaayi _,*
*✪_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k – Jis Shakhs ke Dil mai zarra barabar bhi imaan ho usko Dozakh se nikaal liya jayega,*
*✪_"_Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai’n k – Jis Shakhs ko is Baat mai shak ho Wo Allah Ta’ala Ka ye irshad padh le k ,”‘_ Beshak Allah Ta’ala kisi Ka ek zarra Haq bhi nahi maarta _,”*
*🗂 Tirmizi _2/ 83 ,*
*✪_Tashreeh :_ Matlab ye hai k agar kisi mai zarra barabar bhi imaan ho to Haq Ta’ala usko bhi zaay nahi farmayega balki uski Barkat se us Shakhs ko Dozakh se Nijaat ata farmayega _,”*
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Naqal karte hai’n k :- Do Aadmi Jo Dozakh mai dakhil honge Unki cheekh v Pukaar Sakht ho jayegi, Rabbe Tabarak Wa Ta’ala Farishto ko Hukm farmayega k – in dono ko nikaal lo ! Jab unko nikaal liya jayega to Haq Ta’ala Shanhu unse e farmayeng k – tum Kis vajah se is qadar cheekh rahe they ? Wo arz karenge k Humne esa isliye Kiya Taki Aap hum per Reham farmaye ,*
*✪_ Haq Ta’ala Shanhu farmayenge k – Meri Rehmat Tumhare liye yahi hai k Tum waapas ja Kar Apne Aapko Dozakh mai Wahi daal do Jaha’n tum pehle they ! Chunache dono chale jayenge, Unme se ek to Apne ko dozakh mai daal dega ,Allah Ta’ala Dozakh ko Uske Haq mai thandi aur Salaamti wali bana denge, aur Doosra Shakhs khada rahega , Apne Aapko Dozakh mai nahi daalega , Haq Ta’ala Shanhu usse farmayenge k – Tu Apne Aapko Dozakh mai Kyu nahi daalta k jis tarah Tere Rafeeq ne Kiya ? Wo arz Karega k – ilaahi ! Mai’n ( Teri Rehmat se) ye Ummeed rakhta hu’n k Jab Aapne ek baar mujhe Dozakh se nikaal liya to dobara usme nahi daalenge,*
*✪_ Haq Ta’ala Shanhu farmayenge – Ja ! Tujhse Teri Ummeed ke Muwafiq Maamla Kiya Jata hai, Chunache Allah Ta’ala ki Rehmat se dono ko bek Waqt Jannat mai dakhil Kar Diya jayega _”*
*🗂 Tirmizi _ 2/84 ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Jahannam mai Aurto’n Ki Aksariyat Hogi _,*
*✪_ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya – Maine Jannat mai jhaank kar dekha to waha’n ke logo mai Aksariyat Fuqra ki nazar aayi aur Maine Dozakh mai jhaank kar dekha to waha’n ke logo mai Aksariyat Aurto’n ki nazar aayi _,”*
*🗂 Tirmizi _2/84 ,*
*✪_ Jannat mai Fuqra ki Aksariyat hona to zaahir hai k Fuqra mai Jannat wale A’amaal ki zyada Ragbat aur Maaldaar aksar Jannat wale A’amaal mai Kotahi aur gaflat Ka shikaar Hote hai’n, Aur Jahannam mai Aurto’n ki Aksariyat ki vajah Aap Sallallahu Alaihivasallam se manqool hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Aurto’n se farmaya k Tum Sadqa Kiya Karo , Kyunki mujhe Dozakh mai tumhari Aksariyat dikhayi gayi ,Unhone iska Sabab daryaft Kiya to farmaya :- … Tum Laanat zyada karti ho aur Apne Shohar ki nashukri karti ho _,”*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻ Dozakh mai Jis Shakhs ko Sabse Kam Azaab hoga Wo Kon hai ?*
*✪_ Hazrat Naumaan bin Basheer Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k – Beshak Dozakhiyo’n mai Sabse Halka azaab us Shakhs ko hoga Jiske Paanv ke Talwo ke us hisse mai Jo Zameen se nahi lagta, Aag ke Shole honge, Jinki vajah se Uska Dimaag is tarah ubalta hoga Jis tarah Handiya Ubalti hai _,”*
*🗂 Tirmizi _2/84 _,*
*✪_ Jese k Sahih Bukhari aur Hadees ki Doosri Kitaabo mai aaya hai, Ye Abu Talib honge, Jinko Tamaam Ahle Dozakh mai Sabse Halka azaab hoga k Unko Aag Ke Joote pehnaye jayenge, Jiski Garmi se dimaag Handiya ki tarah ubalta hoga, is Hadees se Dozakh ke azaab ki shiddat Ka kuchh andaza ho Sakta Hai, Allah Ta’ala Apni Panaah Mai rakhe ,( Aameen )*
*✪_ Ey Allah Hum Teri Panaah chahte hai’n Dozakh ke azaab se aur Hum Teri Panaah chahte hai’n Qabr ke Azaab se aur hum Teri Panaah chahte hai’n Maseeh Dajjaal ke Fitne se aur Hum Teri Panaah chahte hai’n Zindgi aur Maut ke fitno se, Ey Allah ! Hum Teri Panaah chahte hai’n Gunaah Se aur Tawaan se _,”*
┅┅━━═۞═━━┅
*⊙:➻Jannati Kon Hai aur Dozakhi Kon Hai ?*
*✪_ Hazrat Harisa bin Wahab Khuzayi Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue Suna hai k –“_ Kya Tumhe na batau’n k Ahle Jannat Kon hai ?*
*"_ Har Kamzor Jisko Kamzor samjha Jata hai, Agar Wo qasam Khaa le Allah per to Allah Ta’ala uski qasam ko sachcha Kar deta Hai,”*
*“__ Kya Tumhe na batau’n k Dozakhi Kon Hai ? Har Bad-Mizaaj Sakht Tab’a, Jama Kar ke rokne Wala, mutakabbir _,”*
*🗂 Tirmizi_ 2/ 84 _,*
*✪_ Yani Jannatiyo’n ke awsaaf ye hai aur Dozakhiyo’n Ke ye hai aur ye awsaaf Aap Sallallahu Alaihivasallam ne bator Aksariyat ke Bayan farmaye hai’n,*
*✪_Har Kamzor Jisko log Kamzor samajhte ho aur usko Hiqarat ki nazar se dekhte ho ya Wo khud Apne Aapko Kisi qataro shumaar mai shumaar na karta ho aur imaan ki vajah se uski Tabiyat mai lachak aur Narmi payi jati ho, Halanki Allah Ta’ala ke nazdeek uska esa martaba hai k agar Wo qasam Khaa Kar ye Keh de k Allah Ta’ala esa karenge to Allah Ta’ala uski qasam ko poora Kar deta Hai ,Allah Ta’ala Hume ese logo mai Shamil farmaye ( Aameen )*
*✪_ Dozakhiyo’n Ke bare mai farmaya k Akad mizaaj, Sakht Tabiyat, Maal ko jama karke Rakhne Wala aur kisi ko na dene Wala, Mutakabbir Khulasa ye hai k uski Tabiyat mai Aajizi aur narmi nahi hoti , Wallahu A’alam ,Allah Ta’ala Dozakh se aur Dozakhiyo’n Ke Ahwaal se hume mehfooz rakhe ( Aameen )*
☞ *Allahumma Ajirni Minannaar, Ya Allah Hume Jahannam Ki Aag Se Bacha -( Aameen )*,
*∆_ Post Mukammal Hui ____,*
*🗂️_ Jab Aa'nkh Khulegi_,"*
*(Hazrat Yusuf Ludhiyanvi Shaheed Reh.)*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
▏✍🏻 *Haqq Ka Daayi* ▏. http://www.haqqkadaayi.com
👆🏻👆🏻 *Visit for Daily updates*
https://chat.whatsapp.com/BSFLVRvLos99HznEl0NaCt
*What's app Group Join Karne Ke Liye Link per Click Kariye,*
*Telegram_ Per Link Se Join Kijiye👇🏻* https://t.me/haqqKaDaayi
*Bip" Per Link Se Join Kijiye👇🏻 _,* https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*Subscribe Our YouTube Channel👇🏻,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
⚵🎗✨🎗⚵
0 Comments