NOOR E HIDAYAT-ROMAN(MALFUZAAT HAZRAT MOLANA ILYAAS REH.)

*❈❦ 01 ❦❈*       
        ☜█❈ *Haqq Ka Daayi*❈ █☞
      ☞❦ *NOOR- E -HIDAYAT* ❦☜           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*🥀_ A'amaal me Rasmiyat Tab aati hai Jab Unme "Lillahiyat" aur Bandgi ki shaan nahi rehti aur Niyat Ke Sahi hone Se A'amaal Ka Rukh Sahi ho kar Allah hi ki taraf mud Jata hai aur Rasmiyat ke bajaye unme Haqeeqat Paida ho jati hai aur Har kaam Bandgi aur Khuda Parasti Ke Jazbe se Hota hai_,"*        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *❀_• HUM LOGO'N KO GALAT FEHMI YE HAI K WO USOOL KI PABANDI KO HI MUSHKIL SAMAJHTE HAI’N, AUR USSE BACHTE HAI’N,*

*❀ • HALA'NKI DUNIYA ME KOI MAMOOLI SE MAMOOLI KAAM BHI USOOL KI PABANDI AUR KAAM KA SAHI DHANG AKHTIYAR KIYE BINA POORA NAHI HO PATA,*

*❀. JAHAAZ, KASHTI, RAIL, MOTOR SAB USOOL HI SE CHALTE HAI’N, YAHA'N TAK K HAA'NDIYA’N, ROTI TAK BHI USOOL HI SE PAKTI HAI,*

 *❀_DEEN KI MEHNAT FARA’IZ ME SHAMIL HE FARA’IZ KA DARJA NAWAFIL SE BAHUT OU'NCHA HE BALKI SAMAJHNA CHAHIYE K NAWAFIL SE MAQSOOD HI FARA’IZ KI TAKMEEL YA UNKI KAMIYO’N KI TALAFI HOTI HE,*

*❀_MAGAR KUCHH LOGO'N KA HAAL YE HE K WO FARA’IZ SE TO LAPARWAHI BARATTE HE’N AUR NAWAFIL ME MASHGOOL REHNE KA ISSE ZYADA AHATMAAM KARTE HE’N,*

*❀ • DAWAT ILAL KHAIR (ACHCHHAI KI TARAF BULANA) AMR BIL MAROOF(BHALAI KA HUKM KARNA),NAHI ANIL MUNKAR (BURAA'I SE ROKNA)DEEN KI TABLEEG KE YE SAB SHOBE AHAM FARA’IZ ME SE HE’N,*       
         
 *❀_JAB KOI ALLAAH KA BANDA KISI BHALAAI KE KAAM KI TARAF QADAM BADANA CHAHTA HE TO SHAITAN TARAH TARAH SE USE ROKNE KI KOSHISH KARTA HE, AUR USKI RAAH ME MUSHKILAAT AUR RUKAWATE DAALTA HE LEKIN AGAR USKI YE RUKAWATE NAKAAM REHTI HE AUR KHUDA KA WO BANDA BHALA'I KE KAAM KO SHURU KAR HI DETA HE TO FIR SHAITAN KI DOOSRI KOSHISH YE HOTI HE K WO USKE IKHLAAS AUR USKI NIYAT ME KHARABI DAAL DETA HE,*

*❀• YA DOOSRE TAREEQO SE US BHALA'I KE KAAM ME KHUD HISSEDAAR BANNA CHAHTA HE, YANI KABHI USME “RIYA“ V “SUMAA” (DIKHAWA AUR SHOHRAT KI KHWAHISH) KO SHAMIL KARNE KI KOSHISH KARTA HE, AUR KABHI DOOSRI GARAJ KI MILAWAT SE USKI LILLAAHIYAT KO BARBAAD KARNA CHAHTA HE AUR USME WO ZYADATAR KAMYAAB HO JATA HE,*

*❀. ISLIYE DEEN KA KAAM KARNE WALO KO CHAHIYE K WO IS KHATRE SE HAR WAQT CHOKANNA RAHE AUR IS QISM KE SHAITANI BHULAWE AUR BEHKAWE SE APNE DIL KI HIFAZAT KARTE RAHE AUR APNI NIYATO KA BARABAR JAAYZA LETA RAHE,*

*❀• KYU'NKI JIS KAAM ME ALLAAH KI RAZA V KHUSHI KE ALAWA KOI DOOSRI GARAJ KISI WAQT BHI SHAMIL HO JAYEGI FIR WO ALLAAH KE YAHA'N QUBOOL NAHI,*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *❀_• ILM KA SABSE PEHLA AUR AHAM TAQAZA YEH HE K AADMI APNI ZINDGI KA JAAYZA LE, APNE FARAA’IZ AUR APNI KOTAHIYO KO SAMJHE AUR UNKO ADA KARNE KI FIKR KARNE LAGE,*

*❀• LEKIN AGAR ISKE BAJAYE WO APNE ILM SE DOOSRO HI KE A'AMAAL KA JAAYZA AUR UNKI KOTAHIYO KO GINNE KA KAAM LETA HE TO FIR YE ILMI GHAMAND AUR GUROOR HE AUR YE AHLE ILM KE LIYE BADI HALAKAT KI CHEEZ HE,*

*❀• ASLI ALLAAH KA ZIKR YE HE K AADMI JIS MOQE PER AUR JIS HAAL AUR JIS KAAM ME HO USKE MUTALLIQ ALLAH KE JO AHKAAM HO UNKI NIGRANI AUR UN PER AMAL RAKHE,*

 *❀_. INSAAN KO APNE ALAWA DOOSRI CHEEZO PER JO FAKHR AUR BADAA'I HASIL HE USME ZABAAN KO KHAAS DAKHAL HE, AGAR ZABAN SE AADMI ACHCHHI BAATE KARTA HE AUR BHALA'I HI ME ISTEMAL KARTA HE TO YE FOQIYAT AUR BARTARI USKO BHALA'I ME HASIL HOGI,*

*❀_• AGAR ZABAAN KO USNE BURAA'I KA SAMAAN BANA RAKHA HE, JESE BURI BAATE BAKTA AUR BINA VAJAH LOGO'N KO TAKLEEF DETA HE TO FIR USI ZABAAN KI BADOLAT BURAA'I ME MASH'HOOR AUR OU'NCHA HOGA,*

*❀_• YAHA'N TAK K KABHI KABHI YAHI ZABAAN AADMI KO KUTTE AUR SUWAR SE BHI BADTAR KAR DETI HE, HADEES SHARIF ME HE K AADMI KO DOZAKH ME ONDHE MOO'NH UNKI BAKWAS HI DALEGI, ALLAH HIFAZAT KARE,*        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_INSAAN KA QAYAAM ZAMEEN KE OUPER BAHUT KAM AUR ZAMEEN KE NEECHE USKO ISSE BAHUT ZYADA QAYAAM KARNA HE, YA YU’N SAMJHO K DUNIYA ME TO TUMHARA QAYAAM BAHUT THODA HE AUR USKE BAAD JIN JIN MAQAMAAT PER THEHARNA HE JESE MARNE KE BAAD PEHLI SOOR FOO'NKE JANE TAK QABR ME,*

*❀_• USKE BAAD DOOSRA SOOR FOO'NKE JANE TAK US HAALAT ME JISKO ALLAH HI JAANTA HE (AUR YE MUDDAT BHI HAZARO SAAL KI HOGI) AUR FIR HAZARO SAAL HI MAHSHAR ME USKE BAAD AAKHIRAT ME JIS THIKANE KA FAISLA HO,*

*❀_. GARZ YE K DUNIYA SE GUZARNE KE BAAD HAR MANZIL AUR HAR QAYAAM DUNIYA SE SE'NKDO HI GUNA ZYADA HE, FIR INSAAN KI KESI GAFLAT HE K DUNIYA KE CHAND ROZ QAYAAM KE LIYE WO JITNA KUCHH KARTA HE UN DOOSRE MAQAMAAT ( MAUT KE BAAD KE ) KE LIYE ITNA BHI NAHI KARTA,*

 *❀_ DEKHO SAB JAANTE AUR MAANTE HE’N K KHUDA GAYAB NAHI HE BALKI SHAHID HE, AUR HAR WAQT SHAHID HE, TO USKE HAAZIR NAAZIR HOTE HUE BANDO KA USME NA LAGNA AUR USKE GAIRO ME LAGA REHNA (YANI USKE ALAWA ME LAGE REHNA) SOCHO KESI BE NASEEBI AUR KITNI BADI MEHROOMI HE, AUR ANDAZA KARO K YE CHEEZ KHUDA KO KITNA GUSSA DILANE WALI HOGI ?*

*❀• _AUR KHUDA KE DEEN KE KAAM SE GAAFIL REHNA AUR USKE HUKMO KA LIHAAZ NA RAKHTE HUE DUNIYA ME LAGE REHNA HI USSE MOO'NH MODNA HE, AUR USKE ALAWA ME MASHGULIYAT V MASROOFIYAT HE, AUR ISKE BAR-AKS ALLAH ME LAGNA YE HE K USKE DEEN KI MADAD KARNE ME LAGA RAHE AUR USKE HUKMO KI FARMA BARDARI KARTA RAHE,*

*❀._ MAGAR ISKA DHYAN RAKHNA PADEGA K JO BAAT JITNI ZYADA AHAM AUR ZAROORI HO USKI TARAF USI QADAR TAVAJJOH DI JAYE, AUR YE CHEEZ MALOOM HOGI RASULULLAH ﷺ KE USWA- E- HASNA (ACHCHHE NAMOONE) SE, AUR MALOOM HE K AAP ﷺ NE JIS KAAM KE LIYE SABSE ZYADA MEHNAT KI AUR SABSE ZYADA TAKLEEFE BARDASHT KI WO KAAM THA KALME KA FELAANA,YANI BANDO KO KHUDA KI BANDGI KE LIYE TAYAAR KARNA AUR USKI RAAH PER LAGANA, YAHI KAAM SABSE ZYADA AHAM RAHEGA AUR IS KAAM ME LAGNA A’ALA DARJE KA KHUDA ME LAGNA HOGA,*           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *❀_• LOGO'N NE ALLAH KI GULAMI AUR BANDGI KO INSANO KI GULAMI AUR NOKRI SE BHI KAM DARJA DE RAKHA HE, GULAMO AUR NOKRO KA AAM HAAL YE HOTA HE K WO HAR WAQT APNE MAALIK KE KAAM ME LAGA REHNA HI APNA KAAM AUR APNI ZIMMEDARI SAMAJHTE HE’N AUR USKE BEECH ME DAUDTE BHAAGTE JO KUCHH HAATH LAG JATA HE KHAA PI LETE HE’N,*

 *❀_•• LEKIN ALLAH PAAK KE SAATH AB BANDO KA YE MAAMLA REH GAYA K MUSTQIL TOR PER TO APNE KAAMO AUR PASAND V MAZEDAAR CHEEZO ME APNE LIYE LAGE REHTE HE’N AUR KABHI KABHAR KUCHH WAQT APNE UN ZAATI KAAMO SE NAIKAAL KAR KHUDA KA KOI KAAM BHI KAR LETE HE’N, JESS NAMAZ PADH LETE HE’N YA BHALA'I KE KAAM ME CHANDA DE DETE HE’N AUR SAMAJHTE HE’N K BAS KHUDA AUR DEEN KA MUTALBA HUMNE ADA KAR DIYA,*

*❀_• HALA'NKI BANDGI KA HAQ YE HE K ASAL ME AUR MUSTAQIL TO HO DEEN KA KAAM AUR APNA KHANA PINA, USKE LIYE SAMAAN JUTANA USKE BAAD KI CHEEZ HE, ISKA MATLAB YE NAHI K SAB LOG APNE APNE ROZI KAMANE KE SADHAN AUR KAROBAR KO CHHOR DE, NAHI BALKI MATLAB YE HE K JO KUCHH HO USKI BANDGI KE TAHAT HO AUR USKE DEEN KI KHIDMAT AUR NUSRAT KA SAB ME KHAYAL RAKHA JAYE AUR APNE KHANE PINE KI HAISIYAT SIRF ZIMNI HO JIS TARAH EK GULAM KI APNE MAALIK KE KAROBAR ME HOTI HE,*

*❀_• YE BHI KHAYAL RAHE K APNI APNI NAMAZE PADHNA, ROZE RAKHNA AGARCHE A'ALA DARJE KI IBAADATE HE’N, LEKIN YE DEEN KI NUSRAT NAHI HE, DEEN KI NUSRAT TO WAHI HE JISKO QURANE KAREEM AUR ALLAH KE RASOOL ﷺ NE “NUSRAT” BATLAYA HE, AUR USKA ASLI AUR MAQBOOL TAREEN TAREEQA WAHI HE JISKO AAP ﷺ NE RIVAAJ DIYA,*

*❀_• IS WAQT IS TAREEQE AUR IS RIVAAJ KO TAZA KARNE KI AUR FIR SE ISKO JAARI KARNE KI KOSHISH KARNA HI DEEN KI SABSE BADI NUSRAT HE, ALLAH PAAK HUM SABKO ISKI TOFEEQ DE,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_EK BETHAK ME FARMAYA– HAMARI IS TEHREEQ KA MAQSAD HE MUSALMANO KO SIKHANA (YANI ISLAAM KE POORE ILMI V AMALI NIZAAM SE UMMMAT KO JOD DENA), YE TO HAMARA ASLI MAQSAD HE, YE CHALAT FIRAT AUR TABLIGI GASHT TO US MAQSAD KO PAANE KE LIYE IBTIDAYI ZARIYA HE, AUR KALMA NAMAZ KI TALKEEN V TALEEM GOYA HAMARE POORE NISAAB KI ”ALIF, BA, TA,” HE,*

*❀• YE BHI ZAAHIR HE K HAMARE KAFILE (JAMAATE) POORA KAAM NAHI KAR SAKTE, UNSE TO BAS ITNA HI HO SAKTA HE K HAR JAGAH PAHU'NCH KAR APNI KOSHISH SE EK HARKAT AUR BEDAARI PAIDA KAR DE'N, AUR GAFILO KO MUTAVAJJAH KARKE WAHA'N KE MAQAMI AHLE DEEN SE JODNE KI AUR ULMA V SULHA, DEEN KI FIKR RAKHNE WALO KO AWAAM KI ISLAAH PER LAGA DENE KI KOSHISH KARE'N, HAR JAGAH ASLI KAAM TO WAHI'N KE KAAM KARNE WALE KAR SAKENGE AUR AWAAM KO ZYADA FAYDA APNI JAGAH KE AHLE DEEN SE HOGA,*

*❀. ALBATTA ISKA TAREEQA HAMARE UN AADMIYO'N (PURANE ZIMMEDARO) SE SIKHA JAYE JO EK ZAMANE SE FAYDA PAHU'NCHANA AUR FAYDA HAASIL KARNA AUR ILM SIKHNA V SIKHAANA KE IS TAREEQE PER AMAL KARNE WALE HE’N AUR US PER BADI HAD TAK QABU PA CHUKE HE’N,*

*❀_HAMARE KAAM KARNE WALE IS BAAT KO MAZBOOTI SE YAAD RAKHE'N K AGAR UNKI DAWAT V TABLIG KAHI'N QUBOOL NA KI JAYE AUR ULTA BURA BHALA KAHA JAYE, ILZAMAAT LAGAYE JAYE'N TO MAYOOS AUR RANJEEDA NA HO'N AUR ESE MOQE PER YEH YAAD KAR LE'N K AMBIYA ALAIHIMUSSALAM AUR KHAAS TOR SE NABIYO KE SARDAAR ﷺ KI KHAAS SUNNAT AUR VIRASAT HE, KHUDA KI RAAH ME ZALEEL HONA HAR EK KO KAHA'N NASEEB HOTA HE,*

*❀_• AUR JAHA'N UNKA ISTAQBAL, EZAAZ V IKRAAM KIYA JAYE UNKI DAWAT V TABLIG KI QADAR KÏ JAYE AUR TALAB KE SAATH UNKI BAATE SUNI JAYE TO ISKO ALLAH PAAK KA FAQAT INAAM SAMJHE, AUR HARGIZ USKI NA QADRI NA KARE'N,*

*❀_ • UN TALIBO KI KHIDMAT AUR TALEEM KO ALLAH KE IS AHSAAN KA KHAAS SHUKRIYA SAMJHE'N CHAHE YE CHHOTE SE CHHOTE TABKE KE LOG HO'N, HAA’N IS SOORAT ME APNE NAFS KE FAREB SE BHI DARTE RAHE'N, NAFS IS IZZAT AUR MAQBULIYAT KO APNA KAMAAL NA SAMAJHNE LAGE AUR ISME PEER PARASTI KA BHI BADA DAR HE, ISLIYE ISSE KHAAS TOR SE KHABARDAR RAHE'N,*

*❀_ SAB KAAM KARNE WALO KO SAMJHA DO K IS RAAH ME BALAAO’N AUR TAKLEEFO KO KHUDA SE MAA'NGE TO HARGIZ NAHI,*

*❀_ LEKIN AGAR ALLAAH PAAK IS RAAH ME MUSIBAT BHEJ DE TO FIR USKO KHUDA KI REHMAT AUR BURAIYO’N KE KAFFARE KA AUR DARJAAT KE BULAND HONE KA ZARIYA SAMAJHA JAYE, BANDE KO ALLAH SE HANESHA SUKOON V AAFIYAT MAA'NGNA CHAHIYE,*

*❀• KHUDA KI RAAH ME MUSIBATE TO AMBIYA V SIDDIQEEN AUR MUKARRABEEN KI KHAAS GIZAA HE,*
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_•TABLIG V DAWAT KE WAQT KHAAS TOR PER APNE BAATIN KA RUKH ALLAH PAAK HI KI TARAF RAKHNA CHAHIYE, NA K SUNNE WALO KI TARAF,*

*❀_. GOYA US WAQT HAMARA DHYAN YE HONA CHAHIYE K HUM APNE KISI KAAM AUR APNI ZAATI RAAY SE NAHI BALKI ALLAH KE HUKM SE AUR USKE KAAM KE LIYE NIKLE HE’N, SUNNE WALO KI TOFEEQ BHI USI KE QABZA E QUDRAT ME HE,*

*❀_• JAB US WAQT YEH DHYAN HOGA TO IN SHA ALLAH SUNNE WALO KE GALAT BARTAAV SE NA TO GUSSA AAYEGA AUR NA HIMMAT TOOTEGI,*

*❀_ KESA GALAT RIVAAJ HO GAYA HE, DOOSRE LOG HAMARI BAAT NA MAANE TO USKO HAMARI NAKAAMI SAMJHA JATA HE, HALA'NKI IS RAAH ME YE KHAYAL KARNA BILKUL HI GALAT HE, DOOSRO KA MAANNA YA NA MAANNA TO UNKA KAAM HE, UNKE KISI KAAM SE HUM KAMYAAB YA NAKAAM KYU KIYE JAYE,*

*❀_• HAMARI KAMYAABI YAHI HE K HUM APNA KAAM POORA KAR DE, AB AGAR DOOSRO NE NA MAANA TO YE UNKI NAKAAMI HE, HUM UNKE NA MAANNE SE NAKAMYAAB KYU HO GAYE ? LOG BHOOL GAYE, MANWA DENE KO APNA KAAM AUR APNI ZIMMEDARI SAMAJHNE LAGE, (JO ASAL ME ALLAH KA KAAM HE) HALA'NKI HAMARI ZIMMEDARI SIRF ACHCHHE TAREEQE SE APNI KOSHISH LAGA DENA HE, MANWANE KA KAAM TO PAIGAMBARO KE SUPURD BHI NAHI KIYA GAYA,*

*❀_. HAA’N, NA MAANNE SE YE SABAQ LENA CHAHIYE K SHAYAD HAMARI KOSHISH ME KAMI RAHI AUR HUMMSE HAQ ADA NA HO SAKA, JISKI VAJAH SE ALLAH PAAK NE YE NATIJA HUME DIKHAYA, AUR USKE BAAD APNI KOSHISH KI MIQDAAR KO BADA DENE AUR DUA V TOFEEQ MAA'NGNE ME BHI JITNA HO SAKE IZAFA KARNE KA PAKKA IRAADA KAR LENA CHAHIYE,*

*❀_ HAMARE AAM KAAM KARNE WALE JAHA'N BHI JAYE WAHA’N KE HAQQANI, AALIMO V NEK LOGO'N KI KHIDMAT ME HAZIRI KI KOSHISH KARE, LEKIN YE HAZIRI SIRF FAYDA HAASIL KARNE KI NIYAT SE HO AUR UN HAZRAAT KO SEEDHE IS KAAM KI DAWAT NA DE'N,*

*❀• WO HAZRAAT JIN DEENI KAAMO ME LAGE HUE HE’N UNKO WO KHOOB JAANTE HE’N AUR UNKE MUNAFE KA TAZURBA RAKHTE HE’N AUR TUM UNKO APNI BAAT ACHCHHI TARAH SAMJHA NA SAKOGE, YANI TUM UNKO APNI BAATO SE ISKA YAQEEN NAHI DILA SAKOGE K YE KAAM UNKE DOOSRE KAAMO SE ZYADA DEEN KE LIYE MUFEED AUR ZYADA NAFA DENE WALA HE,*

*❀._ NATIJA YE HOGA K WO TUMHARI BAAT KO NAHI MANE'NGE AUR JAB EK DAFA UNKI TARAF SE “NA” HO JAYEGI TO FIR US ”NA” KO KABHI BHI ”HAA’N” ME BADALNA MUSHKIL HO JAYEGA, FIR ISKA BURA NATIJA YE HO SAKTA HE K AQEEDATMAND AWAAM BHI FIR TUMHARI BAAT NA SUNE AUR YE BHI MUMKIN HE K KHUD TUMHARE ANDAR HICHKICHAHAT PAIDA HO JAYE,*

*❀•_ ISLIYE UNKI KHIDMAT ME SIRF FAAYDA HAASIL KARNE KE LIYE HI JAYA JAYE, LEKIN UNKE MAHOL ME NIHAYAT MEHNAT SE KAAM KIYA JAYE AUR USOOLO KI ZYADA RI’AYAT KI KOSHISH KI JAYE, IS TARAH UMMEED HE K TUMHARE KAAM AUR USKE NATIJO KI ITTELA KHUD BA KHUD UNKO PAHU'NCHEGI AUR WO UNKO IS KAAM KI TARAF BULANE WALI AUR TAVAJJOH DILANE WALI HOGI, FIR AGAR ISKE BAAD WO KHUD TUMHARI TARAF AUR TUMHARE KAAM KI TARAF MUTAVAJJAH HO'N TO UNSE SARPARASTI AUR KHABARGIRI KI DARKHWAST KI JAYE AUR UNKA DEENI ADAB AUR AHATRAAM RAKHTE HUE APNI BAAT UNSE KAHI JAYE,*
        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_• AGAR KAHI'N DEKHA JAYE K WAHA'N KE ULMA AUR SULHA IS KAAM KI TARAF HAMDARDANA TOR SE MUTAVAJJAH NAHI HOTE TO UNKI TARAF SE BADGUMANIYO KO DIL ME JAGAH NA DI JAYE, BALKI YE SAMJHA JAYE K CHU'NKI YE DEEN KE KHAAS KHADIM HE’N, ISLIYE SHAITAAN UNKA HUMSE ZYADA GEHRA DUSHMAN HE, (CHOR DHAN DAULAT HI PER TO AATA HE ),*

*❀_• ISKE ALAWA YE BHI SAMAJHNE KI BAAT HE K DUNIYA JO HAKEER V ZALEEL CHEEZ HE, JAB USKE GIRAFTAR APNE DUNIYAVI KAAMO PER IS KAAM KO TARJEEH NAHI DE SAKTE AUR APNE KAAMO V MASROOFIYAAT KO CHHOR KAR IS KAAM ME NAHI LAG SAKTE TO AHLE DEEN APNE A'ALA KAAMO KO IS KAAM KE LIYE KESE ASAANI SE CHHOR SAKTE HE’N,*

*❀_ • URFA (ALLAAH KO PEHCHANNE WALO) NE KAHA HE K ,”NOORANI HIJAABAAT ZULMAANI HIJABAAT SE KA'I DARJE ZYADA SHADEED HOTE HE’N ,”*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_• JITNA BHI ACHCHHE SE ACHCHHA KAAM KARNE KI ALLAAH TOFEEQ DE, HAMESHA USKA KHATMA ISTAGFAAR PER HI KIYA JAYE, GARZ HAMARE HAR KAAM KA AAKHIRI HISSA ISTAGFAAR HO YANI YE SAMAJH KAR K MUJHSE YAQEENAN USKI ADAAYGI ME KOTAHIYA'N HUI HE'N, UN KOTAHIYO'N KE LIYE ALLAH SE MAAFI MAA'NGI JAYE,*

*❀_• RASULULLAH ﷺ NAMAZ KE KHATM PER BHI ALLAH SE ISTAGFAAR KIYA KARTE THE, LIHAZA TABLEEG KA KAAM BHI ISTAGFAAR PER HI KHATM KIYA JAYE,*

*❀_. BANDE SE KISI TARAH BHI ALLAH KE KAAM KA HAQ ADA NAHI HO SAKTA, ISKE ALAWA EK KAAM ME MASGULIYAT BAHUT SE DOOSRE KAAMO KE NA HO SAKNE KI VAJAHBHI BAN JATI HE, TO IS QISM KI CHEEZO KE BADLE KE LIYE BHI HAR ACHCHHE KAAM KE KHATM PER ISTAGFAAR KARNA CHAHIYE,*

*❀_ AAP LOGO'N KI YE CHALAT FIRAT AUR SAARI KOSHISH BEKAAR HOGI AGAR USKE SAATH ILM E DEEN AUR ZIKRULLAH KA POORA AHATMAM AAPNE NAHI KIYA, GOYA YE ILM V ZIKR DO BAAZU HE'N, JINKE BAGER IS FIZA ME UDA NAHI JA SAKTA,*

*❀• BALKI SAKHT KHATRA AUR PAKKA DAR HE K AGAR IN DO CHEEZO KI TARAF SE GAFLAT BARTI GAYI TO YE KOSHISH KAHI'N FITNA AUR GUMRAHI KA EK NAYA DARWAZA NA BAN JAYE, DEEN KA AGAR ILM HI NA HO TO ISLAM V IMAAN SIRF RASMI AUR NAAM KE HE’N AUR ALLAH KE ZIKR KE BAGER AGAR ILM HO BHI TO YE SARASAR ZULMAT HE,* 

*❀_ • AUR ISI TARAH AGAR DEEN KE ILM KE BAGER ALLAH KE ZIKR KI KASRAT BHI HO TO ISSE BHI BADA KHATRA HE, GARZ K ILM ME NOOR ZIKR SE AATA HE AUR DEEN KE ILM KE ZIKR SE AATA HE AUR DEEN KE ILM KE ZIKR KE BAGER HAQEEQI BARKAAT V NATIJE HAASIL NAHI HOTE, BALKI BAAZ AVQAAT ESE JAAHIL SUFIYO KO SHAITAN APNE KAAM KA AALA BANA LETA HE,*

*❀_. ISLIYE ILM V ZIKR KI AHMIYAT KO IS SILSILE ME KABHI BHOOLA NA JAYE AUR ISKA HAMESHA KHAAS AHATMAM RAKHA JAYE, VARNA AAPKI YE TABLEEGI TEHREEQ BHI BAS EK AWARA GARDI HOKAR REH JAYEGI AUR KHUDA NA KARE AAP LOG SAKHT GHAATE ME RAHENGE,*

*❀• HAZRAT KA MATLAB IS HIDAYAT SE YE THA K KAAM KARNE WALE TABLEEG V DAWAT KE SILSILE KI MEHNAT V MASHAKKAT, SAFAR HIJRAT, ISAAR V QURBANI HI KO ASAL KAAM NA SAMJHE, JESA K AAJ KAL AAM HAWA HE, BALKI DEEN KO SEEKHNE V SIKHANE AUR ALLAH KE ZIKR KI AADAT DAALNE AUR USSE TALLUQ PAIDA KARNE KO APNA EK AHAM FARZ SAMJHE,*

*•❀_ DOOSRE LAFZO ME SIRF SIPAHI AUR VOLUNTEER BANNA NAHI BALKI TALIBE ILME DEEN AUR ALLAH KO YAAD KARNE WALA BANDA BHI BANNA HE,*        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_ HUM DUNIYA ME NAFS KI HIMAYAT AUR NAFSANI KHWAHISHAT KE MUTABIQ CHALNE KE LIYE NAHI BHEJE GAYE, JISSE YE DUNIYA AADMI KE LIYE JANNAT BAN JATI HE BALKI HUM NAFS KI MUKHALIFAT AUR ALLAH KE AHKAAM KI ITA’AT KE LIYE BHEJE GAYE HE’N, JISSE YE DUNIYA MOMIN KE LIYE “SIJN” (JAIL KHANA) BAN JATI HE,*

*❀•_ AGAR HUM BHI GAIRO KI TARAH NAFS KI HIMAYAT V TARAFDARI KARKE DUNIYA KO APNE LIYE JANNAT BANAYENGE TO HUM GAIRO KI JANNAT PER QABZA KARNE WALE AUR HADAPNE WALE HO'NGE,*

*❀ •_ IS SOORAT ME KHUDA KI MADAD QABZA KARNE AUR HADAPNE WALO KE SAATH NA HOGI BALKI UN LOGO'N KE SAATH HOGI JINKI JANNAT PER QABZA KIYA GAYA, YANI GAIRO KE SAATH ALLAH KI MADAD HOGI, FARMAYA K IS BAAT ME ACHCHHI TARAH GOR KARO,*

*❀_ ALLAH KE AHKAAM KI TALASH ZARURI HE , BARABAR TALASH ME LAGE REHNA CHAHIYE, JESE KISI KAAM ME MASHGOOL HONE SE PEHLE SOCHNA CHAHIYE K KAAM DO CHEEZO KO CHAHTA HE, EK– US KAAM PER TAVAJJOH KO JISME MASHGOOL HONA CHAHTA HE, DOOSRE– AUR KAAMO SE US WAQT GAFLAT KO,*

*❀ • NAMAZ SE PEHLE KUCHH DER NAMAZ KA MURAQBA (SOCH VICHAAR) KARNA CHAHIYE, JO NAMAZ BILA INTEZAR KE HO WO FUSFUSI HE, TO NAMAZ SE PEHLE NAMAZ KO SOCHNA CHAHIYE, SHARIYAT NE ISI WAASTE FARAYAZ SE PEHLE SUNNATO V NAWAFILO AUR IQAMAT VAGERA BATAYE HE’N TAKI NAMAZ KA MURAQBA ACHCHHI TARAH HO JAYE ,FIR FARZ ADA KIYA JAYE,*

*❀•• MAGAR NA TO HUM SUNNATO V NAWAFILO AUR IQAMAT VAGERA KE IN FAAYDO AUR MASLIHATO KO SAMAJHTE HE’N AUR NA UNSE YE FAAYDE HAASIL KARTE HE’N, ISLIYE HAMARE FARAYAZ BHI KHARAB ADA HOTE HE’N,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_TABLIG KE KAAM KARNE WALO'N KO APNE DIL ME WUS’AT PAIDA KARNA CHAHIYE, JO ALLAH KI REHMAT KI WUS’AT PER NAZAR KARKE PAIDA HOGI , USKE BAAD TARBIYAT KA AHATMAM KARNA CHAHIYE,*

*❀• HAMARE SARDAAR RASULALLAH ﷺ ISLAM KE SHURU KE ZAMANE ME (JAB DEEN KAMZOR THA AUR DUNIYA TAQATWAR THI) UN LOGO'N KE GHAR JA KAR JINKE DILO ME DEEN KI TALAB NAHI THI, UNKI MAJLISO ME BE TALAB PAHU'NCH KAR DAWAT DETE THE, TALAB KA INTEZAR NAHI KARTE THE, KUCHH MAQAMAAT PER HAZRAATE SAHABA KO KHUD SE BHEJA HE K FALA'N JAGAH TABLIG KARO,*

*❀ • IS WAQT WAHI KAMZORI KI HAALAT HE TO HUMKO BHI BE-TALAB LOGO'N KE PAAS KHUD JANA CHAHIYE, MULHIDO DEEN SE FIR JANE WALE, FASIKO GUNAHGAARO KE MAJME ME PAHU'NCHNA CHAHIYE AUR KALMA-E- HAQ BULAND KARNA CHAHIYE,*

*❀_ HAMARI TABLIG ME ILM V ZIKR KI BADI AHMIYAT HE, BAGER ILM KE NA AMAL HO SAKE NA AMAL KI MAARIFAT, AUR BAGER ZIKR KE ILM ZULMAT HI ZULMAT ( ANDHERA ) HE, USME NOOR NAHI HO SAKTA, MAGAR HAMARE KAAM KARNE WALO ME ISKI KAMI HE*

*❀_• MUJHE ILM V ZIKR KI KAMI KA RANJ HE AUR YE KAMI IS VAASTE HE K AB TAK AHLE ILM AUR AHLE ZIKR ISME NAHI LAGE HE • AGAR YE HAZRAAT AAKAR APNE HAATH ME KAAM LE LE TO YE KAMI BHI POORI HO JAYE, MAGAR ULMA AUR AHLE ZIKR TO ABHI TAK BAHUT KAM AAYE HE’N,*

*❀_. KHULASA YE HE K —AB TAK JO JAMAATE TABLIG KE LIYE RAWANA KI JATI HE’N UNME AHLE ILM AUR AHLE NISBAT KI KAMI HE ,JISKA HAZRAT KO RANJ THA ,KAASH AHLE ILM AUR AHLE NISBAT BHI IN JAMAATO ME SHAMIL HO KAR KAAM KARE TO YE KAMI POORI HO JAYE,*

*❀• ALHAMDULILLAH TABLIG KE MARKAZ ME AHLE ILM AUR AHLE NISBAT MOJOOD HE’N MAGAR WO CHAND GINTI KE AADMI HE’N ,AGAR WO HAR JAMAAT KE SAATH JAYA KARE TO MARKAZ KA KAAM KON ANJAAM DE,*

*❀_KHWAB NABUWAT KA 46 VA HISSA HE, KUCHH LOGO'N KO KHWAB ME ESI TARAQQI HOTI HE K RIYAZAT V MUJAHIDE SE NAHI HOTI KYU'NKI UNKO KHWAB ME SAHI ULOOM BATAYE JATE HE’N JO NABUWAT KA HISSA HE, FIR TARAKKI KYU NA HOGI,*

*❀_• ILM SE MA'ARFAT BADTI HE AUR MA'ARFAT SE QURB BADTA HE, AAPNE FARMAYA K IS TABLIG KA TAREEQA MUJH PER KHWAB ME JAAHIR HUA, ALLAAH TA’ALA KA IRSHAD HE ,” KUNTUM KHAIRA……BILLAAHI ,” KI TAFSEER KHWAB ME MILI K TUM (YANI ISLAM LANE WALI UMMAT) AMBIYA ALAIHISSALAM KI TARAH LOGO'N KE WAASTE ZAAHIR KIYE GAYE HO, TUMHARA KAAM BHALAIYO KA HUKM DENA AUR BURAAIYO SE ROKNA HE,*

*❀_• ISKE BAAD, "TOO MINOO NA BILLAAHI,” FARMA KAR YE BATLAYA HE K IS BHALAA'I KE HUKM SE KHUD TUMHARE IMAAN KO TARAQQI HOGI ,BAS DOOSRO KI HIDAYAT KA IRAADA NA KARO, APNE NAFE KI NIYAT KARO,*

*❀_• AUR ”UKHRIJAT LINNAASI” ME ”ANNAAS” SE MURAAD ARAB NAHI BALKI GAIR ARAB DOOSRE LOG HE’N, KYU'NKI ARAB KE BARE ME TO FARMA DIYA GAYA K UNKE MUTALLIQ HIDAYAT KA IRAADA HO CHUKA HE , AAP ﷺ UNKI ZYADA FIKR NA KARE'N,*

*❀_• TABLIG KARNE WALO KO TO TABLIG HI SE IMAAN KE POORA HONE KA FAAYDA HAASIL HO JATA HE , CHAHE MUKHATAB QUBOOL KARE YA NA KARE, AGAR MUKHATAB QUBOOL KARKE IMAAN LE AAYE TO USKA APNA BHI FAAYDA HOGA, TABLIG KARNE WALE KA FAAYDA IS PER MOKOOF NAHI,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦ 
*❀_ EK KHAT ME MAULANA SAYYAD ABUL HASAN ALI NADVI KA YE JUMLA THA K MUSALMAN DO HI QISM KE HOTE HE’N, TEESRI KOI QISM NAHI, YA ALLAAH KE RAASTE ME KHUD NIKALNE WALE HO YA NIKALNE WALO KI MADAD KARNE WALE HO, FARMAYA– BAHUT KHOOB SAMJHE HE’N, FIR FARMAYA– K NIKALNE WALO KI MADAD ME YE BHI DAKHIL HE K LOGO KO NIKALNE PER TAIYAAR KARE, AUR UNKO BATAYE'N K TUMHARE NIKALNE SE FALA'N AALIM KE BUKHARI KE DARS YA QUR'AN KE DARS KA HARJ NA HOGA TO TUMKO BHI USKE DARS KA SAWAB MILEGA,*

*❀_• IS QISM KI NIYATO SE LOGO'N KO AGAAH KARNA CHAHIYE AUR SAWAB KE RAASTE BATLANA CHAHIYE, HAMARI TABLIG KA HAASIL YE HE K AAM DEENDAR MUSALMAN APNE OUPER WALO SE DEEN KO LE AUR APNE NICHE WALO KO DE , MAGAR NICHE WALO KO APNA MOHSIN SAMJHE, KYU'NKI JITNA HUM KALME KO PAHU'NCHAYENGE, FELAYENGE, ISSE KHUD HAMARA KALMA BHI KAAMIL AUR MUNAVVAR HOGA AUR JITNO KO HUM NAMAZI BANAYENGE ISSE KHUD HAMARI NAMAZ BHI KAAMIL (POORI) HOGI,*

*❀_• TABLEEG SE FAAYDA UTHANE KE LIYE EK BADI SHART YE HE K TABLEEG KARNE WALE KO USSE APNA KAAMIL HONA MAQSOOD HO, DOOSRO KE LIYE APNE KO HIDAYAT DENE WALA NA SAMJHE, KYU'NKI HIDAYAT DENE WALA ALLAH TA’ALA KE SIVA KOI NAHI,*

 *❀_MUSALMAN KO ULMA KI KHIDMAT CHAR NIYATO’N SE KARNA CHAHIYE,:-*
*"_ 1- ISLAM KI NIYAT SE CHUNACHE SIRF ISLAM KI VAJAH SE KOI MUSALMAN KISI MUSALMAN KO DEKHNE JAYE YANI SIRF SALAH KE LIYE MULAKAAT KARE TO 70 HAZAR FARISHTE USKE PAANV TALE APNE PAR BAAJU BICHHA DETE HE’N ,TO JAB HAR MUSALMAN KI JIYARAT KI YE FAZILAT HE TO ULMA KI JIYARAT ME BHI YE FAZILAT ZAROORI HE,*

*★• 2- YE K UNKE DIL V JISM NABUWAT KE ULOOM KO UTHAAYE HUE HE’N , IS. LIHAAZ SE BHI WO ADAB KE QABIL AUR KHIDMAT KE LAYAQ HE’N ,*
*• 3- YE K WO HAMARE DEENI KAAMO KI NIGRANI KARNE WALE HE’N,*

*★ • 4- UNKI ZARURIYAAT KI TALASH KE LIYE, KYUKI AGAR DOOSRE MUSALMAN UNKI DUNIYAVI ZARURATO KO TALASH KARKE POORA KAR DE TO ULMA APNI ZARURATO ME WAQT LAGANE SE BACH JAYENGE AUR WO WAQT BHI ILM V DEEN KI KHIDMAT ME KHARCH KARENGE,*

*★. MAGAR AAM MUSALMANO KO CHAHIYE K BHAROSE KE LAYAQ ULMA KI TARBIYAT AUR NIGRANI ME ULMA KI KHIDMAT KA FARZ ADA KARE• KYUKI UNKO KHUD ISKA ILM NAHI HO SAKTA K KON ZYADA IMDAAD KA MUSTAHIK HE AUR KON KAM ? AUR AGAR KISI KO KHUD APNI TALASH SE ISKA ILM HO SAKE TO WO KHUD TALASH KARE,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_• HADEES ME HE , JO ( KISI PER ) REHAM NAHI KARTA US PER REHAM NAHI KIYA JATA, ZAMEEN (PER REHNE) WALE PER REHAM KARO ASMAAN WALA TUM PER REHAM KAREGA, MAGAR AFSOS LOGO'N NE IS HADEES KO BHOOK AUR FAAQE WALO PER REHAM KE SAATH MAKHSOOS KAR LIYA HE ISLIYE UNKO US SHAKHS PER TO REHAM AATA HE JO BHOOKA HO, PYASA HO, NANGA HO, MAGAR MUSALMANO KI DEEN SE MEHROOMI PER REHAM NAHI AATA,*

*❀_• GOYA DUNIYA KE NUQSAAN KO NUQSAAN SAMJHA JATA HE FIR HUM PER AASMAAN WALA KYU REHAM KARE ? JAB HUME MUSALMANO KI DEENI HAALAT KE BIGADNE PER REHAM NAHI, FARMAYA- HAMARI IS TABLEEG KI BUNIYAAD ISI REHAM PER HE, ISLIYE YE KAAM SHAFQAT KE SAATH APNE FARZ KO POORA KAREGA, LEKIN AGAR YE MANSHA NAHI KUCHH AUR MANSHA HE TO FIR WO GHAMAND V GUROOR ME GHIR JAYEGA, JISSE FAAYDE KI UMMEED NAHI,*

*❀_• AUR JO SHAKHS IS HADEES KO SAAMNE RAKH KAR TABLEEG KAREGA USME KHULOOS BHI HOGA, USKI NAZAR APNE AYBO PER BHI HOGI AUR DOOSRO'N KE AYBO PER NAZAR KE SAATH UNKI ISLAMI KHOOBIYO PER BHI NAZAR HOGI, TO YE SHAKHS APNE FAAYDE KA HAAMI NA HOGA BALKI SHIKAYAT KARNE WALA HOGA AUR IS TABLEEG KA GUR YAHI HE K NAFS KÏ HIMAYAT (MADAD) SE ALAG HO KAR NAFS KI SHIKAYAT KA SABAQ HAMESHA NAZAR KE SAAMNE RAHE,*

*❀_MUSLAMAN DUA SE BAHUT GAAFIL HE , AUR JO KARTE BHI HE’N UNKO DUA KI HAQEEQAT MALOOM NAHI, MUSALMANO KE SAAMNE DUA KI HAQEEQAT KO VAAZEH KARNA CHAHIYE,*

*❀• DUA KI HAQEEQAT HE APNI ZARURATO KO BULAND BARGAAH ME PESH KARNA , PAS JITNI BULAND WO BARGAAH HE UTNA HI DUAO’N KE WAQT DIL KO MUTAVAJJAH KARNA AUR DUA KE ALFAAZ KO ROTE GIDGIDATE AUR AA'NSU BAHATE HUE ADA KARNA CHAHIYE AUR YAQEEN V BHAROSE KE SAATH DUA KARNA CHAHIYE K ZAROOR QUBOOL HOGI,*

*❀_. KYU'NKI JISSE MAA'NGA JA RAHA HE WO BAHUT SAKHI AUR KARAM KARNE WALA HE, APNE BANDO'N PER REHAM KARNE WALA HE, ZAMEEN ASMAAN KE KHAZANE SAB USI KI QUDRAT KE QABZE ME HE,*

*❀_ TAQREER ME SHARA’I AHKAAM KI MASLIHATO V ASBAAB KO BAYAN NA KARO BAS TEEN CHEEZO KA KHAYAL RAKHNE KI TALEEM DI JAYE,• EK YEH K HAR AMAL ME ALLAH KI RAZA V KHUSHI KA IRAADA KARE AUR AKHIRAT KA YAQEEN RAKHE,*

*❀_JO AMAL BHI RAZA E HAQ KE LIYE AUR AKHIRAT KE YAQEEN KE SAATH HO WO AKHIRAT ME MUFEED HOGA• WAHA'N ISSE SAWAB MILEGA YA AZAAB DOOR HOGA,*

*❀_ ISKE SAATH KISI ESE NAFE KA IRAADA NA HO JO MAUT SE PEHLE DUNIYA ME HAASIL HONE WALA HE • WO NAFE TO KHUD BA KHUD HAASIL HO JATE HE’N, WO MAQSOOD NAHI HE, GO INKA HAASIL HONA YAQEENI HE AUR ISKA YAQEEN RAKHNA BHI ZAROORI HE MAGAR AMAL SE UNKA IRAADA NA KIYA JAYE,*

*❀_. TABLIG KE KAAM KE LIYE SAYYADO KO ZYADA KOSHISH KE SAATH UTHAAYA JAYE AUR AAGE BADAYA JAYE, YAHI HADEES KA TAQAZA HE• IN BUZURGO SE DEEN KA KAAM PEHLE BHI BAHUT HUWA HE AUR AAI'NDA BHI INHI SE ZYADA UMMEED HE,*

*❀_ KISI MUSALMAN KO KISI SE ALLAH KE LIYE MUHABBAT HO YA USSE KISI MUSALMAN KO ALLAH KE LIYE SACHCHI MUHABBAT HO TO YE MUHABBAT AUR NEK KHAYAL HI AKHIRAT KE LIYE ZAKHIRA HE ,*

*❀_• APNE KHALI HAATH HONE KA YAQEEN HI KAMYAABI HE , KOI BHI APNE AMAL SE KAMYAAB NAHI HOGA, SIRF ALLAH KE FAZAL SE KAMYAAB HOGA,*

*❀_• MUJHE APNE OUPER ISTIDRAAJ (DHEEL DENA) KA DAR HE, MA'INE ARZ KIYA K YE DAR AIN IMAAN HE,( HASAN BASRI REH. KA IRSHAD HE K APNE OUPER NIFAAK KA DAR MOMIN HI KO HOTA HE ) • MAGAR JAWANI ME DAR KA ZYADA HONA ACHCHHA HE AUR BUDHAPE ME ALLAH SE NEK GUMAAN AUR UMMEED KA ZYADA HONA ACHCHA HE, FARMAYA -HAA’N SAHI HE ,*

*❀_. ISLAM ME EK TO WUS’AT KA DARJA HE , YE WUS’AT TO ITNI HE K MUSALMAN KE GHAR ME PAIDA HO JANA DARUL ISLAM ME PAIDA HO JANA HE, KISI KI BAAT ME 99 KUFR KI VAJAH MOJOOD HO AUR EK VAJAH ISLAM KI HO TO USKO MUSALMAN HI KAHA JAYEGA, MAGAR YE HAQEEQI ISLAM NAHI RASMI HE,*

*❀_• ISLAM YE HE K MUSALMAN ME LAA ILAAHA ILLALLAAH KI HAQEEQAT PAYI JAYE AUR USKI HAQEEQAT YE HE K USKA BHAROSA KARNE KE BAAD ALLAH TA’ALA KI BANDGI KA PAKKA IRADA DIL ME PAIDA HO, M'ABOOD KO RAAZI KARNE KI FIKR DIL KO LAG JAYE ,HAR WAQT YE DHUN RAHE K HAAY WO MUJHSE RAAZI HE YA NAHI ?*

*❀_• DO CHEEZO KI MUJHE BADI FIKR HE , UNKA AHATMAM KIYA JAYE, EK ZIKR DOOSRE MAAL WALO KO ZAKAAT KA SAHI MASRAF SAMJHAYA JAYE, UNKI ZAKATE SAHI JAGAH KHARCH NAHI HOTI , AKSAR BARBAAD JA RAHI HE’N,*

*❀•_ JO ALLAH KE BHAROSE TABLIG ME LAGE HUE HE’N UNKI IMDAAD BAHUT ZAROORI HE UNKO ZAKAAT DI JAYE TO UNME HIRS V LALACH PAIDA NA HOGI, MAAL WALO KO ESE LOGO KO TALASH KARNA CHAHIYE K KISKO KITNI ZARURAT HE, YE JO PESHAWAR MAA'NGNE WALO KO AUR AAM CHANDA MAA'NGNE WALO KO ZAKAAT DETE HE’N, AKSAR ISSE UNKI ZAKATE MASRAF ME NAHI KHARCH HUA KARTI,*

*❀•_ ILM SE AMAL PAIDA HONA CHAHIYE, AUR AMAL SE ZIKR PAIDA HONA CHAHIYE , TABHI ILM HE AUR AGAR ILM SE AMAL PAIDA NA HO TO SARASAR ZULM HE AUR AMAL SE ALLAH KI YAAD PAIDA NA HUI TO FUSFUSA HE AUR ZIKR BILA ILM BHI FITNA HE,*

*❀._ LOGO'N KO HADIYA, SADQA AUR KARZ KE FAZA'IL SAHABA KE WAQIYAAT SE BATANA CHAHIYE, SAHABA MAZDOORI KAR KARKE SADQA KARTE THE, UNME SIRF MAALDAR HI SADQA NAHI KARTE THE, GAREEB BHI MAZDOORI KARKE KUCHH NA KUCHH SADQA KIYA KARTE THE, KYUKI SADQA KE FAZAIL UNKI NAZAR ME THE, AUR JAB SADQA KA YE DARJA HE TO HADIYA TO USSE BHI AFZAL HE,*

*❀•_ ISI TARAH KARZ DENE KE BHI BAHUT FAZAIL HE, JESE JIS WAQT KARZ KI MUDDAT POORI HO JAYE USKE BAAD TANGDAST KARZ LENE WALE KO AGAR MOHLAT DI GAYI, TAQAZA NA KIYA GAYA TO HAR DIN SADQE KA SAWAB MILTA HE,*

*❀_•TABLIG ME HISSA LENE WALO KO CHAHIYE. K QURAN V HADEES ME DEEN KI DAWAT V TABLIG PER JO AJR V SAWAB KE VAADE KIYE GAYE HE’N AUR JIN INAMAAT KI KHUSH KHABRI SUNAYI GAYI HE UN PER POORA YAQEEN HO, POORA YAQEEN KARTE HUE UNHI KI CHAHAT V UMMEED ME IS KAAM ME LAGE ,*

*❀_• AUR ISKA BHI DHYAN KIYA KARE'N K HAMARI IS HAKEER KOSHISHO KE ZARIYE ALLAH PAAK JITNO KO DEEN PER LAGA DE'NGE AUR FIR IS SILSILE SE JITNE LOG QAYAMAT TAK DEEN PER CHALENGE AUR JO BHI NEK AMAL KARENGE TO UNKE A'AMAAL KA JITNA SAWAB UNKO MILEGA IN SHA ALLAH UN TAMAAM SAWABO KE MAJMUE KE BARABAR ALLAH TA’ALA APNE VAADO KE MUTABIQ HUMKO BHI ATA FARMAYENGE, BA-SHARTE K HAMARI NIYAT KHAALIS AUR HAMARA KAAM QABILE QUBOOL HO ,*

*❀_. LOGO'N KO JAB IS TABLIG KE KAAM KE LIYE TAIYAAR KARNA HO TO ACHCHHI TARAH IS KAAM ME LAGNE KE FAAYDE AUR AAKHIRAT ME MILNE WALA USKA AJR V SAWAB BHI KHOOB TAFSEEL SE UNKO BATAO AUR IS TARAH BAYAN KARNE KI KOSHISH KARO K THODI DER KE LIYE TO JANNAT KA KUCHH SAMA’N. UNKI AA'NKHO KE SAAMNE AA JAYE ,JESA K QURAN MAJEED KA TAREEQA HE,*

*❀_• ISKE BAAD IN SHA ALLAH UNKE LIYE YE ASAAN HOGA K IS KAAM ME MASHGOOLI KI VAJAH SE THODE BAHUT DUNIYA KE KAAMO KE HARAJ AUR NUQSAAN KA JO DAR UNHE HOGA WO USKO NAZAR ANDAZ KAR SAKENGE,* 

*❀_•INSAAN KA FARQ APNE ALAWA DOOSRI MAKHLOOQ SE ZABAN KI VAJAH SE HE, HONA TO YE CHAHIYE THA K YE FARQ BHALAA'I HI ME HO LEKIN HOTA HE YE BURAAI ME BHI,*

*❀_• YANI JIS TARAH ZABAN KE SAHI ISTEMAL AUR USSE ALLAH KA AUR DEEN KA KAAM LENE KI VAJAH SE BHALAA'I V NEKI ME FARISHTO SE BHI BADH JATA HE, ISI TARAH IS ZABAN KA BEZA ISTEMAL KARNE SE SUWAR AUR KUTTE SE BHI BADTAR HO JATA HE,*

*❀. HADEES PAAK ME IRSHAD HE K LOGO'N KO UNKI NAAK KE BAL GHASEETNE WALI JAHANNAM KI TARAF ZABAN SE ZYADA KOI CHEEZ NAHI,*

                ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_ Imaam Abdul Wahaab Sherani Reh. ne Kutubiyat ( Buzurgi ka Darja ) haasil karne ki ek Tadbeer likhi he Jiska haasil ye he k Allah Kï Zameen per Jaha'n Jaha'n Jo Nekiya’n miti hui hai'n aur Murda ho gayi hai'n Unka khayal kare• Fir Dil me unke mitne ka ek Dard mehsoos kare aur Rote v Gidgidate hue unke zinda aur Jaari karne ke liye Allah Ta’ala se Dua kare Aur apne Dil Kï taaqat ko bhi unke zinda karne ke liye istemal kare,*

*❀_. Isi Tarah Jaha'n Jaha'n Jo Buraiya'n feli hui Hai'n unka bhi dhyan kare aur fir unke bad Jane Kï Vajah se Apne Andar ek Dard aur Dukh mehsoos kare, Fir gidgidate hue Allah Ta’ala se unko mita dene ke liye Dua kare aur Apni Himmat v tavajjoh ko bhi unke Jad se ukhaad fe'nkne ke liye istemal kare,*

*❀__Imaam Abdul Wahaab Sherani Reh. ne likha he k Jo Shakhs Esa Karta rahega in Sha Allah Wo Zamane ka Kutub hoga,*
             
*❀↬• Logo'n ko Shok dilao k Deen Sikhne Sikhane aur Deen felane ke waaste apne kharch per GHARO se nikle, Agar Unme iski bilkul Taaqat na ho ya Wo itni Qurbani per Taiyar na ho to Fir Jaha'n Tak ho sake unhi ke Mahol se iska intezam karo,*

*❀↬• Aur Agar ye bhi na ho sake to Fir Doosri Jagah se hi intezam kar do, LEKIN ye bahar haal khayal rahe k Unme israafe nafs Paida na ho jaye,*

*❀↬• Ye Cheez ( Yani Apni Zarurato ke Bajaye Allah Ta’ala ke Bando per Nazar hona jiska Naam israaf he ) imaan Kï Jado ko khokhla kar dene wali he Aur un nikalne walo ko ye bhi achchhi Tarah samjha diya jaye k is Raah Kï takleefo Bhook Pyaas vagera ko Allah Kï Rehmat samjhe,*

*❀↬• is Raaste me ye Takleefe to Nabiyo’n aur Siddiqeen aur Muqarrabeen Kï Gizae’n he’n,*

*❀_ Jannat Tawazo v inksaari karne walo hi ke liye he, insaan me Agar Kibr (Apne ko BADA samajhna) ka koi hissa he to pehle usko Jahannam me daal kar foo'nka jayega, Jab khaalis Tawazo reh jayega tab Wo Jannat me bheja jayega ,bahar haal Kibr ke saath koi Aadmi Jannat me nahi jayega ,*

*❀_• Abhi Kaam ka Waqt baqi he, Jaldi hi Deen ke Liye Do Zabardast khatre pesh aaye'nge, Ek Tehreek Shuddhi Kï Tarah Kufr Kï Tabligi koshish, Jo Jaahil Awaam me hogi Aur Doosra khatra he Deene Haq se fir Jana aur KHUDA ko na maanna, Jo Magribi Hukumat v Siyasat ke Saath aa raha he, Ye Dono Gumrahiya’n Sailaab Kï tarah Aayegi Jo kuchh karna he unke aane se pehle kar lo,*

*❀_• Deen ke kaam karne walo ko chahiye k Gasht aur Chalat Firat ke Qudrati Asraat ko tanhayi ke Zikr v Fikr ke zariye dhoya kare,*

*❀↬• Hamara Kaam Deen ka Buniyadi kaam he aur hamari Tehreek Haqeeqat me imaan Kï Tehreek he,*

*❀↬• Aaj kal Aam Tor se Jo ijtimayi kaam hote he’n unke karne wale imaan Kï Buniyad ko Qaayam Farz karke Ummat Kï ouper Kï Tameer karte he’n aur ouper ke Darje Kï Zaruriyaat Kï Fikr karte he’n Aur hamare nazdeek ummat Kï Pehli Zarurat yahi he k Unke Dilo me Pehle sahi imaan Kï Roshni pahu'nch jaye,*

*❀↬• Hamare nazdeek is waqt Ummat ki Asal Bimari Deen Kï Talab v Qadar se unke Dilo ka khaali hona he. Agar Deen Kï Fikr v Talab unke Andar Paida ho jaye aur Deen Kï Ahmiyat ka Sha'oor v Ahsaas unke andar zinda ho jaye to unki islamiyat dekhte dekhte hari bhari ho jaye,*

*❀↬• Hamari is Tehreek ka Asal maqsad is waqt bas Deen Kï Talab v Qadar paida karne Kï koshish karna he na k sirf Kalma aur Namaz vagera ka sahi karna aur Taleem v Tarbiyat karna,*

*❀↬•Hamare Kaam ke Tareeqe me Deen ke waaste Jama’ato ki Shakl me gharo se door nikalne ko bahut zyada ahmiyat he, iska khaas faayda ye he k Aadmi iske Zariye Apne purane aur Thehre hue mahol se nikal kar ek naye Nek aur Chalne firne wale mahol me aa jata he, Jisme uske Deeni jazbaat ke badne ka bahut kuchh samaan hota he,*

*❀↬• Aur is Safar v Hijrat Kï Vajah se Jo tarah tarah Kï Takleefe Musibate Pesh aati he’n aur dar badar firne me Jo Zillate Allah ke liye Bardasht karni hoti he, unki Vajah se Allah Kï Rehmat khaas Tor se mutavajjah ho jati he,*

*❀↬•(Jo is Raaste me Jaddo Jahad karega Allah zaroor ba zaroor usko Hidayat dega) isi WAASTE is Safar v Hijrat ka zamana jis qadar Lamba hoga usi qadar mufeed hoga, Ye Kaam Dar haqeeqat Bahut bade darje ka he, AFSOS ! K log iski haqeeqat ko samajhte nahi,*

*❀↬•Hamare is Kaam ko samajhne aur Seekhne ke liye Sahi Tarteeb ye he k Pehle Yaha’n (Nizamuddin Markaz) aa kar kuchh Din Qayaam kiya jaye aur Yaha’n ke rehne walo (Tablig ke Purane Zimmedaro) se Baate Kï jaye, Uske baad Apni Jagah jaa kar kaam kiya jaye,*
 
*❀↬ Ye bhi Zaruri he k Apne jin Bado se hum Deeni Barkaat Haasil kare unse Apna Talluq Sirf Allah ke liye rakhe aur Sirf usi line Kï un Baato v Kaamo aur Halaat se matlab rakhe, Baqi doosri laino Kï unki Niji aur Gharelu Baato se Be-Talluq balki Be Khabar rehne Kï koshish kare Kyu'nki ye Apna Apna Maamla he.*

*❀_• La Muhala Usme kuchh Qadurate ho'ngi aur Jab Aadmi Apni Tavajjo unki taraf chalayega to wo uske andar bhi Aayegi aur kisi waqt aitraaz bhi paida hoga, Jo Doori aur Mehroomi ka sabab ho jayega. Isiliye Buzurgo Kï kitaabo me Saalik (Seedhe Raaste pe chalne walo ko ) Buzurgo ke Gharelu Halaat per Nazar na karne Kï takeed Kï gayi he,*

*❀↬• ILM wale aur Asar Wale Hazraat Ek Silsila Ye Shuru kare k Har Juma ko pehle se SOCH kar Tay kar Liya kare k Hum Juma fala’n Mohalle Kï Masjid me padhenge Aur is intikhaab me Gareeb Pichhdi aur Jaahil Abaadiyo ka zyada Lihaaz rakhe,*

*❀↬Jese Jin Mohallo me Dhobi, Sakka, Taa'nga Chalane wale ,Kuli aur Sabji bechne wale rehte ho'n (Jinme Deen se Jahalat aur Gaflat agarche bahut Zyada he lekin Nafarmani aur inkaar Kï Haalat paida nahi hui he) To Ese Logo'n ki Abaadi Kï Masjid Pehle se Tajveez kar le aur Apne talluq walo aur Milne Julne wale Logo'n ko bhi iski ittela de de aur Saath chalne per bhi unhe Ubhare,*

*❀↬• Fir waha’n pahu'nch kar Jume Kï Namaz se pehle Mohalle me tabligi gasht kar ke Logo'n ko Namaz ke liye Taiyaar kar ke Masjid me laye fir thodi der ke liye unhe Rok kar Deen Kï Ahmiyat aur uske Seekhne Kï Zarurat Samjha kar Deen Seekhne ke waaste Tabligi Jama’at me Nikalne Kï Dawat de,*

*❀↬. Aur unko Samjhaye k is Tareeqe per wo Kuchh Roz me Deen ka Zaruri ILM v Amal seekh sakte he’n, Fir is Dawat per Agar Thode se Thode Aadmi bhi Taiyar ho jaye to kisi Munasib Jama’at ke Saath unko bhejne ka Bandobast kare,*

*❀↬Agar kisi jagah ke kuchh gareeb log Tabligi Jama’at ke saath nikalne ko taiyaar ho jaye aur Kharch se majboor ho to koshish kar ke Jaha'n tak ho sake Unhi ke mahol se kuchh Ameero ko bhi unke saath ke liye uthaya ( Taiyaar kiya ) jaye Aur unko ye bhi bataya jaye k Allah Kï raah me nikalne wale gareebo aur kamzoro Kï imdaad ka Allah ke yaha kya darja he,*

*❀• Lekin saath hi poori Ahmiyat se ye Baat bhi unko yaad karayi jaye k agar wo apne kisi Gareeb saathi Kï madad karna chahe to uske Usool aur uska Tareeqa is Raah ke Purane Tajurbekaar kaam karne walo se Zaroor Maloom kare aur Unke mashware se hi ye kaam kare,*

*❀ • Usool ke Khilaf aur Galat Tareeqe per kisi Kï Madad karne se kisi Waqt Bahut si kharabiya’n Paida ho jati he, Fir Deen ke liye nikalne wale gareeb aur Majboor Logo'n per kharch karne ke kuchh Usool Hazrat ne Bayan farmaye aur irshad farmaya k isko likh lo,*      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Deen Ke liye Nikalne wale Gareeb Aur Majboor logo Per Kharch ke Usool -*

*❀↬• 1- Majbooro ko is Tarah Hikmat se diya jaye k Wo isko Kisi Mustaqil Silsila na Samajhne lage aur unme israaf paida na hone paye,*

*❀_• 2- Dena ”Taleef“ ke Liye ho (Yani Deen se lagaav aur Talluq Paida karne ke Waaste ho) isliye sirf Zarurat bhar hi Taleef ho ,fir jese jese unme Deen Kï Qadr v Talab aur is kaam se Talluq v lagaav badhta jaye ,usi Qadr Maali imdaad se Haath khee'ncha jaye,*

*❀_• Aur Saath rehne v Baat Cheet vagera ke Zariye ye jazba Unme Paida kiya jaye k Wo Mehnat Majdoori kar kar ke ye kaam kare ya JIS Tarah Apni Doosri Zarurato ke liye Qarz lete hai'n isko bhi ek Aham Zarurat Samajh kar Moqe ke hisaab se iske liye Qarz le,*

*❀_ • is Raaste me Doosre ka Ahsaanmand na hona ”Azeemat ” he, Hijrat ke waqt Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu jese fidaayi ne Rasulallah ﷺ ko Ou'ntni pesh Kï thi to Huzoor ﷺ ne Qeemat tay karke qarz li,*

*❀_. Lekin Jab tak Ragbat v Talluq ka ye darja aur Jazba Paida na ho us Waqt Tak Munasib Tor per Unki Maali Madad Kï jati rahe,*

*❀↬3•Maali imdaad ke Adaab me se ek ye bhi he k Bahut hi Chhupe Tor per aur izzat v Ahatram ke Saath diya jaye aur dene wale Ameer log Deen Kï khidmat me lage hue gareebo ke qubool kar lene ko unka ahsaan samjhe Aur unko apne se bada samjhe k bavjood Tangi v Gareebi ke Wo Deen ke liye ghar se nikalte he’n,*

*❀↬ Deen ke liye ghar se nikalna Hijrat Kï sifat he aur unki Madad karna Nusrat Kï sifat he Aur Ansar kabhi Muhajireen ke barabar nahi ho sakte,*

*❀↬• 4- is Raaste me kaam karne walo Kï Madad Zakaat v Sadqaat se zyada Tohfe Kï Soorat me Kï jaye, Zakaat v Sadqaat Kï misaal haa'ndi ke mail kuchel aur Raddi hisse Kï si he k usko nikaalna zaroori he Varna saari Haa'ndiya kharab rahegi Aur Tohfe Kï Misaal Ese samjho jese k Taiyaar Khane me khushbu daali jaye aur us per Chandi Sone ke waraq laga diye jaye,*

*❀↬• 5-Deen ke Liye Ghar se nikalne walo Kï Madad Kï ek Sabse Badi Soorat ye bhi he k Unke Ghar walo ke paas jaa kar unke Saude vagera aur unki zaroorato Kï Fikr kare Aur Unko Araam Pahu'nchane Kï Koshish kare, Unhe bataye k Tunhare Ghar ke log Kese Azimusshan Kaam me nikle hue he’n aur Wo kitne khush naseeb he’n,*

*❀_• Garaz ye k khidmat aur Targeeb se itna mutma’in kare k Wo khud Apne Ghar ke nikle hue Logo'n ko likhe k ”hum Log Yaha'n har Tarah Araam se he’n ,tum itminan ke saath Deen ke kaam me lage raho ,”*

*❀_• 6- Maali madad ke Silsile me Halaat jaanne Kï koshish karne Kï bhi zarurat he (Yani Deen ke kaam me lage rehne walo ke halaat Per gor kare aur Toh lagaye k unki kya zaruriyaat he’n aur unki Guzar Basar kesi he),*

*❀↬.7- Halaat Jaanne Kï ek Soorat jisko Khaas Tor se Rivaaj dena chahiye ye he k Bade Log Apni Aurto’n ko Deen ke Waaste nikalne wale Gareebo ke GHARO me bheja kare, Unse un Gareeb Ghar walo Kï hosla afzaai aur Dildaari bhi hogi aur Unke Andruni halaat ka bhi kuchh ILM hoga*
 
*❀↬• Khuda Kï RAAH me kharch karne per Quran v Hadees me Duniyavi Barkaat ka Jo Vaada kiya gaya he ,Wo uska Ajr nahi he, Nekiyo’n ke Asal ajr ko to Duniya bardasht hi nahi kar sakti, Waha’n Kï khaas niyamato Kï bardasht yaha kaha’n ?*

*❀↬• is Duniya me to Pahaad Jesi sakht Makhlooq aur Hazrat Moosa Alaihissalam jese Bade Paigambar bhi ek Tajalli Kï taab na la sake,*

*❀↬•Jannat Kï Ni'amate agar Yaha’n bhej Dï jaye to KHUSHI se maut waqe ho jaye,Yahi haal waha’n Ke azaab ka he ,agar Dozakh ka ek Bichchhu is Duniya Kï taraf rukh kare to ye saari Duniya uske Zehar Kï tezi se sookh jaye,*

*❀_ Khuda Kï RAAH me kharch karne walo Kï misaal Quran paak me Jo us Shakhs se di gayi he Jisne Ek Daana boya aur usse Saat So (700) daane paida hue, To ye misaal Duniyavi barkaat Kï hi he ,Akhirat me iska Jo Ajr milega Wo to bahut ouncha hoga,*

*❀↬• is Raah me kaam karne ki sahi Tarteeb yu he k Jab koi qadam uthana ho, Jese khud Tableeg me Jana ho ya kisi ko bhejna ho, Ya Shukook v Shub'haat rakhne wale Kisi Shakhs ko mutmain karne ke liye usse mukhatab hone ka iraada ho To sabse pehle apni Na-ahliyat ka aur bebasi aur wasayal v asbaab se apne khali haath hone ka khayal karke Allah ko haazir naazir aur qaadire mtlaq Yaqeen karte hue poori gidgidahat v Rone ke saath usse arz kare,*

*❀↬• K ,Ey Allah ! Tune barha bager asbaab ke bhi sirf apni poori qudrat se bade bade Kaam kar diye, ilaahi Bani Israeli ke liye tune sirf apni qudrat se hi Samandar me khushk raasta paida kar diya, Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke liye tune apni Rehmat aur Qudrat hi se Aag ko guljaar bana diya tha aur Ey Allah ! Tune apni Chhoti Chhoti Makhlooq se bhi bade bade kaam liye he, Ababeel se tune Abraha ke haathiyo wale lashkar ko haar dilwayi aur apne ghar Kï hifazat farmayi,*

*❀↬. Arab ke Ou'nt charane wale anpado se tune Deen ko saari Duniya me chamkaya aur Kaisar v Kisra Kï hukumato ko tukde tukde kara diya, Pas Ey Allah ! Apni is purani sunnat ke mutabiq mujh nikamme, nakaara aur Aajiz v kamzor bande se bhi kaam le le ,aur Mai'n tere Deen ke JIS kaam ka iraada kar raha hu uske liye Jo tareeqa tere nazdeek sahi he mujhe uski taraf rehnumayi farma aur Jin asbaab Kï zarurat ho Wo sirf apni qudrat se ata farma de,*

*__Bas Allah se Ye Dua maang kar fir kaam me lag jaye, Jo Asbaab Allah Kï taraf se milta rahe unse kaam leta rahe ,aur sirf Allah hi Kï qudrat v madad per poora bharosa rakhe hue apni poori koshish karte rahe aur Ro Ro kar usse madad aur ”injaaze Va’ad ,”( Qur'an paak ka Vaada ) Kï darkhwast bhi karta RAHE balki Allah hi ko Asal samjhe aur Apni koshish ko iske liye shart aur Parda samjhe,*

           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*❀_Khud Kaam Karne se bhi Zyada Tavajjo aur Mehnat Doosro ko is Kaam me lagane aur unhe Kaam sikhane ke liye Karni Chahiye,*

*❀• Shaitan Jab Kisi ke Mutalliq ye Samajh leta he k ye to Kaam ke liye khada ho hi gaya he aur ab mere bethaye bethne Wala nahi he to Fir Uski Koshish ye hoti he k Khud to laga rahe Magar Doosro ko lagane Kï koshish na kare, Isliye Wo is per Raazi ho jata he k ye Shakhs is Bhala'i ke kaam me poore tor se is qadar masroofiyat se lag jaye k doosro ko Dawat Per lagane ka Usko hosh hi na ho,*

*❀_• Isliye Shaitan ko Haar is Tarah hi Dï ja Sakti he k Doosro ko uthane aur Unhe kaam per lagane aur Kaam sikhane Kï Taraf Zyada se zyada Tavajjo di jaye Aur Dawat ilal khair aur Dalalat ilal Khair ke kaam per Ajro Sawab Ke Jo Vaade Quran v Hadees me farmaye gaye he’n Unka Khayal aur Dhayan karte hue aur usi ko apni Taraqqi aur Taqarrub ( khuda ke Qareeb hone ) ka sabse bada Zariya Samajhte hue iske liye Koshish Kï jaye,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
       *☞_ Deen me Thehraav Nahi,*

*❀↬• Ya to Aadmi Deen me taraqqi kar raha hota he aur Ya niche girne lagta he, iski misaal yu samjhiye k Baag ko jab paani aur Hawa muwafiq ho to hariyali v taazgi me taraqqi hi karta rehta he• Aur jab mausam muwafiq na ho ya paani na mile to esa nahi hota k ye hariyali aur taazgi apni jagah per thehri rahe balki usme kami shuru ho jati he, Yahi haalat Aadmi ke Deen Kï hoti he,*

*❀_• Logo'n ko Deen per laane aur Deen ke kaam me lagane Kï tarqeebe socha karo (Jese Duniya wale apne Duniyavi maqasid ke liye tarkeebe socha karte he’n) aur Jisko JIS tarah se mutavajjah kar sakte ho uske saath usi raaste se koshish karo,*

*❀_.Tabiyat mayoosi (na ummeedi ) Kï taraf zyada chalti he kyunki Mayoos ho Jane ke baad Aadmi Apne ko Amal ka Zimmedar nahi Samajhta aur fir use kuchh karna nahi padta, Khoob Samajh lo ye NAFS aur Shaitan ka Bada Dhoka he,*

*❀_• Asbaab Kï KAMI per Nazar daal kar Mayoos ho Jana is baat Kï nishani he k tum asbaab parast ho aur Allah ke Vaado aur uski gaib Kï taaqato per tumhara Yaqeen bahut kam he, Allah per bharosa kar ke aur Himmat karke utho to Allah hi asbaab paida karte he’n, Varna Aadmi khud kya kar sakta he. Magar Himmat aur taaqat bhar koshish shart he,*
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞ _Gair Qaumo Kï Pairvi Na kare,,*

*❀↬• Zara socho to ! Jis Qaum ke Aasmani Uloom ( Yani Hazrat Maseeh Alaihissalam ka laya hua ilm ) ka chiraag ,Uloome Muhammadi ( Quran v Sunnat ) ke saamne bujh gaya balki Allah Kï taraf se mansookh kar diya gaya,*

*❀• Aur barahe Raast usse Roshni haasil karne ko saaf mana farma diya gaya, Usi Qaum Kï ahwa v amaani ( yani un Isaai Qaumo ke apne khud ke banaye hue nazariyo, tareeqo ) ko is Quran v Sunnat ke haamil Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Kï Ummat ka Akhtyar kar Lena aur usko sahi kaam ka tareeqa samajhna kitna bura aur kis qadar Allah ko gussa dilane wala hoga ,?*

*❀• Aur Aqal ke hisaab se bhi ye baat kitni galat he k Ummat wahih ( Quran v Sunnat ) ke mehfooz hote hue bhi ( Jisme Zindgi ke tamaam infiradi v ijtimayi shobo ke mutalliq poori hidayate mojood he’n ) Gair Qaumo Ke Tor tareeqo ki pervi Kï jaye ,Kya ye Uloome Muhammadi Kï na-qadri nahi he,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_Bahut Saada aur Bahut Najuk Kaam he ,,*

*❀↬• Hum jis Deeni Kaam Kï Dawat dete he’n, Zahir me to ye bada Saada sa kaam he ,lekin haqeeqat me bada Najuk kaam he• Kyunki Yaha'n maqsood sirf Karna Karana hi nahi he balki apni koshish karke apni majboori ka Yaqeen aur Allah Ta’ala Kï qudrat v madad per bharosa paida karna he,*

*❀• Allah ka Tareeqa yahi he k agar Allah Kï madad ke bharose per apni saari koshishe hum kare to Allah Ta’ala hamari koshish aur harkat hi me apni madad ko shamil kar dete he’n,*

*❀ • Apne ko bilkul be kaar samajh kar bethe rehna to ”Jabriyat ” he aur apni hi taaqat per bharosa karna ,” Qaduriyat” he ( aur ye dono gumrahiya’n he’n ) aur sahi Islam in dono ke darmiyan he, Yani Allah Ta’ala ne mehnat aur Koshish Kï Jo hakeer si taaqat aur salahiyat hume de rakhi he Allah ke Hukm ko POORA karne me usko to poora POORA laga de aur isme koi kasar na chhode,*

*❀• Lekin nateeje ke paida karne me Apne ko bilkul Aajiz aur be bas Yaqeen kare aur sirf Allah Ta’ala Kï madad hi per bharosa kare aur sirf usi ko kaam karne wala samjhe, Farmaya — Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke namoone se iski poori tafseel maloom Kï ja sakti he, Musalmano ko hamari Dawat bas yahi he.*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
       *☞_Ziyarat Ka Mafhoom _,,*

*❀_ Panjab ke ek Deendar Musalman ka zikr karte hue farmaya k Wo Jab pehli dafa aaye to ittefaq se mai’n us waqt ibne maaja Sharif ka Sabaq padha raha tha, Unhone Salam kiya, Mai'ne Hadees ke Dars me mashguliyat Kï vajah se jawab nahi diya,*

*❀↬• Fir Wo wahi beth gaye aur thodi der ke baad (Sabaq hi ke dauran) Unhone kaha k mai’n Fala'n jagah se aaya hu’n, Mai'ne uska bhi koi jawab nahi diya,*

*❀↬• Kuchh der baad Wo uth kar chalne lage to ab Maine unse puchha k Aap kyu aaye the ? Unhone kaha k ”Ziyarat ke liye”, Mai'ne kaha ,Jis Ziyarat ki Hadees me Targeeb aur Fazilat aayi he Wo yeh nahi he k kisi Kï sirf soorat dekh li jaye to ye esa he Jese kisi Kï tasveer dekh li,*

*❀_ Shara’i Ziyarat ye he k Uski baat puchhi jaye, Uski Suni jaye ,aur Aapne to na kuchh kahi aur na meri kuchh Suni, Unhone kaha k kya mai’n thehar jau ? Mai'ne kaha Zaroor, Chuna'che Wo thehar gaye aur fir Jab unhone meri baat ko suna aur Samjha aur Yaha ke kaam ko dekha to apne bade bhai …….ko bulaya,*

*❀↬Agar mai’n usi waqt usi TOR per thodi baat unse kar leta to Jo kuchh baad me hua kuchh bhi na hota aur Bas Wo ”Ziyarat“ hi karke chale jate,*

*❀↬Farmaya :- Zamane ke badalne se Deeni istilaahaat ke maa’ne bhi badal gaye aur unki Rooh nikal gayi ,Deen me ,” Muslim Kï Muslim se mulaqaat ” Kï fazilat isliye he k unme Deen Kï Baate ho ,Jis mulaqaat me Deen ka koi Zikr na ho Wo be Rooh he,*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞_Islaah Kï Tarteeb,,*

*❀↬• Hamare Nazdeek islaah Kï tarteeb Yu'n he k (Kalma- A- Tayyiba ke zariye imaani muahido ko taza karne ke baad ) sabse pehle Namazo Kï durustgi aur poore hone Kï fikr Kï jaye, Namaz Kï BARKAT poori Zindgi ko sudharegi, Namaz hi ke Salaah aur Kamaal se baqi Zindgi per salahiyat aur Kamaal ka Faizan hota he,*

*❀• Hamari is Deeni Dawat me kaam karne Wale Sab Logo'n ko YE baat Achchhi Tarah Samjha deni Chahiye k Tabligi Jama’ato ke nikalne ka maqsad Sirf doosro ko pahunchana aur batana hi nahi balki is zariye se apni islaah aur apni taleem v tarbiyat bhi maqsood he ,isliye nikalne ke zamane me ILM aur Zikr me mashguliyat ka bahut Zyada ahatmam kiya jaye,*

*❀_• Deen ke ILM aur Allah ke Zikr ke ahatmam ke bager nikalna kuchh bhi nahi he, fir ye bhi zaroori he k ILM v Zikr me ye mashguliyat is Raaste ke apne bado se talluq rakhte hue aur unki hidayat v nigrani me ho, Ambiya Alaihissalam ka ILM v Zikr Allah Ta’ala ke zere hidayat tha aur Sahaba Kiraam Kï Huzoor ﷺ Poori Poori nigrani farmate the,*

*❀• Isliye har zamane Ke logo ne Apne bado se ilm v Zikr liya aur unki nigrani aur rehnumayi me poori tarah seekha, Ese hi Aaj bhi hum apne Bado Kï nigrani ke mohtaaj he’n, Varna Shaitan ke jaal me fans Jane ka bada dar he,*
 
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Jo Allah Kï Madad v Rehmat Kï Ummeed na Rakhe Gunahgar he ,,*

*❀↬ Dosto ! Hamara ye Kaam ( Islahi v Tabligi Koshish ) ek tarah ka taskheer ka Amal he ,( Yani Jo koi is kaam me lagega aur usko apni DHUN bana legal Allah Ta’ala uske kaam banata rahega ) Agar Tum Allah ke kaam me lagoge to zameen v Asmaan aur Fiza Kï hawae’n tumhare kaam anjaam dengi,*

*❀↬Tum Allah ke Deen ke liye ghar aur karobaar chhor kar nikle the ab Aankho se dekh Lena k Tumhare karobaar me kitni barkat hoti he ,Allah Kï Madad karke Jo uski Madad v Rehmat Kï Ummeed na rakhe Wo gunahgar aur be Naseeb he ( Akhri Jumla Aapne ese andaz aur itne josh me kaha k Majlis me haazir rehne walo ke Dil hil gaye )*

*❀↬• Hamare is kaam Kï sahi tarteeb to yahi he k Pehle qareeb qareeb jaya jaye aur Apne mahol me kaam karte hue aage bada jaye ,lekin kabhi kabhi Kaam karne walo me PAKKA iraada aur kaam Kï pukhtgi paida karne ke liye Shuru me door door bhej diya jata he ,in lambe safaro se PAKKA iraada aur kaam ka ishq paida hoga,*

*❀_ Hamare is kaam me felaav se Zyada Rusookh ( pahu'nch) aham he, lekin is kaam ka Tareeqa esa he k rusookh ke saath hi felaav bhi hota jayega, Kyuki Rusookh bager iske paida hi nahi hoga k is Dawat ko le kar Shehro Shehro aur Mulko Mulko fira jaye,*
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Ek Niyaazmand se Ek Din Farmaya (Jinko Tablig ke alawa Kitaabe aur Majmoon vagera likhna unka khaas kaam tha)*

*❀↬•Mai'n ab tak isko pasand nahi karta tha k is Tabligi kaam ke silsile me Kuchh Zyada likha padha jaye aur Tehreer ke zariye iski Dawat Dï jaye balki mai isko mana karta raha LEKIN AB Mai'n kehta hu'n k Likha jaye aur Tum bhi khoob likho, Magar Fala'n Fala'n Kaam karne walo ko meri ye baat pahu'ncha kar Unki Raay bhi le lo (Chuna'che un Naamzad HAZRAAT ko Hazrat Kï ye baat pahu'ncha kar Mashwara Talab kiya gaya, In Hazraat ne Apni ye Raay Zaahir Kï k is bare me ab tak Jo Tareeqa raha he wahi ab bhi rahe, Hamare Nazdeek yahi Behtar he )*

*❀_• Pehle hum Bilkul Kashm-pursi Kï haalat me they Koi Hamari Baat sunta nahi tha aur Kisi Kï samajh me hamari Baat aati nahi thi, Us waqt yahi Zaroori tha k hum Khud hi Chal fir kar Logo'n me Talab paida kare'n aur Amal se apni baat samjhaye'n, Us waqt Agar Tehreer ke Zariye Aam Dawat Dï jati to Log kuchh ka kuchh samajhte Aur Apne samajhne ke Mutabiq hi Raay qayam karte aur Agar Baat kuchh Dil ko lagti to Apni samajh ke mutabiq kuchh sidhi kuchh ulti uske kaam Kï Shakl banate aur fir Jab Natije Galat Nikalte to ( Dawat ko ) Galat kehte,*

*❀_. Isliye hum ye Behtar nahi samajhte k Logo'n ke Paas Tehreer ke zariye Dawat pahu'nche Lekin Allah ke Fazal v Karam aur uski Madad se ab Halaat badal chuke he’n, Hamari bahut si Jama’ate Mulk ke Charo Taraf nikal kar kaam ka Tareeqa dikhla chuki hai'n aur Ab Log Kaam ke Taalib ban kar khud Hamare paas aate he’n, Aur Allah Ta’ala ne hume itne Aadmi de diye he’n k Agar Alag Alag simto me Talab ( Maa'ng ) paida ho aur kaam sikhane ke liye Jama’ato Kï Zarurat ho to Jama’ate bheji ja sakti he’n, To ab in halaat me bhi Kash-m-pursi wale shuru zamane hi ke kaam ke Tareeqe ke har har hisse per Jame rehna theek nahi, isliye Mai'n kehta hu’n k Tehreer ke Zariye bhi Dawat deni chahiye,* 
     
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ Apne Bado se Kaam Qadar ke Saath lo,*

*❀↬• Ab ye kehna chhor do k Teen Din do ya Paanch Din do ya Saat din do ,Bas ye kaho k Raasta ye he, Jo jitna karega Utna payega ,iski koi Had nahi, Koi sira nahi he,*

*❀↬• Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka Kaam Sab Nabiyo se aage he aur Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu Kï ek Raat aur ek Din ke kaam ko Hazrat Umar Raziyallahu Anhu nahi pa sake, fir iski Had hi kya he, Yeh to Sone Kï khaan he Jitna khodoge utna niklega,*

*❀↬• Jazbaat aur Dil ka rukh badle bager Zindgi ke kaam badalwane Kï koshish galat he ,Sahi Tareeqa ye he k logo ke Dilo ko Allah Kï taraf fer do, fir unki poori Zindgi Allah ke Hukmo ke maat'hat ho jayegi ,Laa ilaaha illallaah ka yahi maqsad he aur hamari mehnat Kï yahi Buniyad he,*

*❀↬• Logo'n se Deen per Amal karane ke liye pehle unme haqeeqi imaan ,Akhirat Kï fikr aur Deen Kï qadar paida karo, Allah ka ina’am bahut he magar uske yaha gairat bhi he, Wo naqadro ko nahi deta,*

*❀↬• Tum bhi apne Bado se Deen ko qadar ke saath lo aur is qadar ka taqaza ye bhi he k unko apna bahut bada Mohsin samjho aur poori tarah unki tazeem karo ,Yahi mansha he us Hadees ka jisme farmaya gaya he k Jisne Apne mohsin ka Shukr ada na kiya usne Allah ka bhi Shukr ada nahi kiya,*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_ ILM aur Amal Ka Jod Ho (Devband Ke Talba se Khitaab):-*

*❀↬• Doosri baat ye he k Hamesha is Fikr me Lage raho aur is fikr ke bojh ke saath Zindgi guzaro k Jo kuchh padha he aur Jo padhenge uske mutabiq Zindgi guzare, ilme Deen ka ye pehle Zaroori Haq he,*

*❀↬• Deen koi fun aur falsafa nahi he balki Zindgi guzaarne ka Wo Tareeqa he Jo Ambiya Alaihissalam lekar aaye, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne, ”ilmun laa yanfa’a” se (Yani us ILM se Jo Amal per na daale) Panaah Maa'ngi he aur iske alawa bhi Aalim Be-Amal ke liye Jo Sakht Saza dene Kï Waiyde Qur’an v Hadees me aayi he’n Wo Aapke ilm me he,*

*❀↬• Ye bhi Samajh Lena chahiye k Aalim Be-Amali Namaz na padhna aur Roza na rakhna nahi, Ye to Aam Logo'n ke Aam Gunaah he’n, Aalim ka Gunaah ye he k Wo ILM per Amal na kare aur Uska Haq ada na kare, Qurane Kareem me Ahle Kitaab Ulma ke mutalliq farmaya ,”unke Vaada todne Kï Vajah se humne un per laanat Kï aur unke Dilo ko sakht kar diya,*

*❀↬• Allah Kï baato ko felane Kï koshisho me Jaan dene ke shok ko zinda kare aur iska Tareeqa sikhe aur is per Allah Ta’ala Kï taraf se Jo Vaade he’n, Yaqeen ke saath unse Ummeede lagate hue aur uske gair Se bilkul Ummeed na lagate hue balki gairo Se Ummeede khatm karte hue Kaam karna Sikhe,*

*❀↬•Jitni Zarurat iski he k Allah hi se Ummeed rakhi jaye ,utni hi Zarurat is koshish Kï he k Allah ke alawa gairo Se Ummeed na rakhi jaye ,balki bilkul Nazar ANDAZ karke kaam karne Kï mashk Kï jaye, Hadees me he k Jo log gairo se Kuchh Ummeed rakh kar achchhe kaam karenge ,Qayamat me unse Keh diya jayega k Jao unhi Se JAA kar apna ajr lo,*
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Apni Qadar Karo (Devband ke Talba hi se farmaya ):-*

*❀↬• Tum Apni Qadar v Qeemat to samjho, Duniya bhar ke khazane bhi Tumhari Qeemat nahi, Allah Ta’ala ke Siva koi bhi Tumhari Qeemat nahi laga sakta,Tum Ambiya Alaihissalam ke naa'ib ho Jo saari Duniya se keh dete he’n,*

*❀_• Tumhara Kaam ye he k Sabse Ummeedo ko khatm karte hue aur Sirf Allah ke ajr per Yaqeen v bharosa rakhte hue Tavajjo aur tazallul ( apne ko kam aur past samajhna) se imaan walo Kï khidmat karo ,isi se Abdiyat Kï Takmeel v tazien hogi,*

*❀_ • Allah Ta’ala ne Zaahir v Baatin Kï Jo Taaqate hume di he’n maslan Fikr v Raay aur haath Paa'nv, ye sab Allah Ta’ala ka inaam he aur Allah ke KAAMO me aur Uske Deen ke liye in Cheezo ka istemal karna bhi isme shamil he,*
        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Apni Taqato ka sahi istemal ho,*

*❀↬• Allah ne Jo zaahir v Baatin Kï taaqate ata farmayi he unka sahi istemal ye he k unko usi kaam me lagaya jaye jisme Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne apni taaqate lagayi, Aur Wo kaam he Allah ke bando ko aur khaas kar gaafilo aur be talabo ko Allah Kï taraf Lana aur Allah Kï baato ko felane ke liye Jaan ko be qeemat karne ka rivaaj dena,*

*❀↬• Ye kaam agar hone lage ( Alhamdulillah Aaj halaat ban chuke he’n) to abse hazaro Guna Zyada Madarse aur hazaro Guna Zyada hi khanqaahe qayam ho jaye balki har Musalman Madarsa aur Khanqaah ho jaye aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï layi hui niyamate’n is Aam andaz me batne lage Jo uski Shaan ke mutabiq he,*

*❀↬. Allah ka kaam karne aur Uski madad ke Mustahiq hone Kï sharto me se ye he k Aadmi apne Aapko aajiz v lachaar samjhe aur Sirf Allah hi ko kaam banane wala Yaqeen kare ,iske bager madad nahi hoti, Hadees Paak me he , "Mai'n unhi ke saath hu’n jinke dil toote hue he’n,”*

*❀_ Har Musalman ke liye uski namojoodgi me Dua karna Haqeeqat ke liye Dua karna he, Hadees me he k Jab koi Musalman apne kisi Musalman bhai ke liye Khair v falaah Kï koi Dua karta he to Allah ke farishte kehte he’n k Ey Allah ke bande yahi cheez Allah tujhe bhi de•*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
        *☞__Khairiyat ka Maiyaar,*

*❀↬• Hamare is kaam ( Dawat Tablig ) me ikhlaas aur Sachche Dil ke saath ijtimaiyat aur mil jul kar aapsi mashware Se kaam karne Kï badi Zarurat he aur iske bager bada khatra he,*

*❀_• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu, Hazrat Abu Ubaida aur Hazrat Ma’az Raziyallahu Anhum se farmate the k Mai'n Tumhari nigrani se be niyaaz nahi hu’n Mai'n bhi Aap Logo'n se yahi kehta hu'n k Mere Halaat per Nazar rakhiye aur Jo Baat Tokne Kï ho us per tokiye,*

*❀• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ke Governoro ke paas se jab koi Qasid aate to Aap unse Governoro Kï khairiyat puchhte aur unke Halaat Maloom karte ,lekin iska matlab Deeni khairiyat aur Deeni Haal puchhna hota tha na k Aaj kal ke Rivaaj ke mutabiq mijaz pursi,*

*❀ • Chuna'che ek Governor ke paas se aane wale Qasid se jab Aapne Governor Kï khairiyat puchhi to unhone kaha ,,” Waha'n khairiyat kaha’n he Maine to unke dastarkhwan per Do Do saalan Jama dekhe,” Goya k Rasulallah ﷺ Jis tarze Zindgi per Sahaba Kiraam ko chhod gaye the Bas us per qaayam rehna hi in Hazraat ke Nazdeek khairiyat ka Maiyaar tha,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Deen ke Liye Kam se Kam Pasina to baha lo,*

*❀• Allah Se Uska Fazal aur Rizq vagera maa'nga to Farz he aur Apni ibaadat v khidmat vagera ka Duniya hi me BADLA chahna Haraam he,*

*❀• Tamaam Gunaah Kufr hi Kï Shaakhe aur Uski Aulaad he’n aur isi tarah Tamaam Nekiya’n imaan Kï Aal Aulaad he’n, Hamari ye Tehreek Dar Haqeeqat imaan Kï Tajdeed ( Taza karna ) aur uski Takmeel Kï Tehreek he,*

*❀• Deeni Kaamo ko Be Maqsad ya Allah ke Hukm Kï ita’at aur Allah Kï Raza aur Aakhirat ke Sawab ke Siva aur kisi Maqsado ke liye karna bhi Deen ko Lahu v La’ib ( Na-jaa’iz khel kood ) banana he,*

*❀ • Farmaya– Jin jagaho ko Huzoor ﷺ ne jaano Kï Baazi laga kar aur Sahaba Kiraam ne Deen Kï RAAH me Apne ko mita kar Jo kuchh Haasil kiya tha , Tum log Usko Araam se lete lete kitaabo se Haasil kar lena chahte ho, Jo in’amaat aur Natije khoon se wabasta the unke liye Kam se Kam Pasina giraana to chahiye,*

*❀• Waha'n Haal ye tha k Hazrat Abu Bakar v Hazrat Umar Raziyallahu Anhum bhi Deen Kï RAAH me Apne ko mita dene ke Bavjood aur Huzoor ﷺ Kï khuli hui aur yaqeeni Khush khabriyo ke bavjood is Duniya se Rote Rote hue gaye،*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Nikalne ke Zamane Kï Mehnat ,,*

*❀•↬ Ye bhi zaroori he k Khaas tor se Nikalne ke zamane me Sirf Apne khaas kaamo me mashguliyat rahe aur doosre Tamaam kaamo se alag raha jaye,*

*❀•• Wo khaas kaam ,1- Tabligi Gasht ,2- Ilm ,3- Zikr ,4- Deen ke liye ghar chhor kar nikalne wale apne saathiyo Kï khaas tor se aur Allah Ta’ala Kï Aam Makhlooq Kï Aam tor se khidmat Kï mashq,*

*❀•• 5- NIYAT ka Sahi hona aur ikhlaas v Ahtisaab (Apna muhasba karna) ka ahatmam aur ittihame nafs (Nafs Kï Shirkat Kï tohmat ) ke saath baar baar is ikhlaas v Ahtisaab Kï Tajdeed karna,*

*❀•• Yani is kaam ke liye nikalte waqt bhi ye khayal karna aur Safar ke darmiyan me bhi baar baar is khayal ko taza karte rehna k hamara ye nikalna sirf Allah ke liye aur un Akhirat Kï niyamato ke laalach me he Jinka Vaada Deen Kï madad karne aur is Raaste Kï takleefe uthane per farmaya gaya he,*

*❀•. Yani baar baar is dhyan ko Dil me jamaya jaye k agar mera ye nikalna khalis ho gaya aur Allah Ta’ala ne usko qubool farma liya to Allah Ta’ala Kï taraf se mujhe Wo niyamate’n Zaroor milengi Jinka Vaada is kaam per Qur’an Paak aur Ahadees me farmaya gaya he aur woh yeh hongi,*

*❀•• Bahar haal in Allah ke vaado per Yaqeen aur inki Ummeed ke dhyan ko baar baar taza kiya jaye aur apne saare Amal ko usi Yaqeen aur usi dhyan se bandha jaye bas isi ka naam ”imaan v Ahtisaab” he aur Yahi hamare Amaal Kï Rooh he,* 
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_Miskeen Gareebo Kï Qadar karo,,*

*❀•• is silsile ka ek usool ye he k Azaad Ravi aur Khud Raay ( manmarzi ) na ho ,balki apne ko un Bado ke mashwaro ka paband rakho jin per Deen ke bare me un Akabireen ne bharosa Zahir kiya ,Jinka Allah ke saath khaas talluq jaana aur maana raha he,*

*❀•• Rasulallah ﷺ ke baad Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka paimana yahi tha k unhi Akabir per Zyada Bharosa karte the jin per Huzoor ﷺ khaas bharosa farmate the, Aur fir Baad me Wo HAZRAAT Zyada bharose ke qabil samjhe gaye jin per Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ne bharosa farmaya tha,*

*❀•_Deen me bharose ke liye bahut hoshiyari aur bedaari ke saath intikhaab ( chunaav ) zaroori he ,varna Badi gumrahiyo ka bhi khatra he, Aam tor per kaam karne wale log Bade Aadmiyo aur numaya hastiyo’n ke pichhe lagte he’n aur Allah ke gareeb aur khasta haal Bande agar khud bhi aa jaye to unki taraf mutavajjah nahi hote ,Ye maddiyat he,*

*❀•. Khoob samajh lo, Jo khud ba khud tumhare paas aa gaya Wo Allah ka diya hua aur uska bheja hua he aur Jiske pichhe lag kar tum use laye Wo tumhari kamaai he, Jo Allah Kï Khaalis Ata ho uski qadar Apni kamaai se Zyada honi chahiye,*

*❀•_Zara socho to Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Dua Kï thi, ey Allah mujhe miskeen Kï HAALAT me zinda rakh aur miskeeni hi Kï haalat me mujhe maut de aur Qayamat ke roz gareebo Kï Jama’at me mujhe uthaa,*
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
         *☞_Aurto’n Se Khitaab ,,*

*❀•• Hazrat Gangohi Navvrallahu Marqadhu ke nawase Hazrat Hafiz Mohammed Yaqoob Sahab Gangohi Apne gharane Kï Aurto’n ke saath Hazrat Kï Ziyarat v ayadat ke liye tashreef laye, Hazrat ne Parde ke pichhe unko Khitab karte hue farmaya, (Mukhtasar Jumlo me likha he )*

*❀•• Mujhe Deen Kï niyamat Aap hi ke gharane se mili he, Mai'n Aapke ghar ka gulaam hu’n, Gulam ke paas agar koi cheez aa jaye to use chahiye k Tohfe me apne Maalik ke saamne pesh kar de, Mujh Gulam ke paas Aap hi ke ghar se haasil kiya hua ”Vurasate Nabuwat” ka Tohfa he, iske Siva aur isse behtar mere paas koi saugaat nahi he jisse mai pesh kar saku,*

*❀•• Deen kya he ? Har moqe per Allah ke Hukmo ko talash karte hue aur unka dhyan karte hue aur apne NAFS ke taqazo Kï milawat se bachte hue unko poora karne me lage rehna ,aur Allah ke Hukmo Kï talash aur dhyan ke bager KAAMO me lagna hi Duniya he,*

*❀•• Mai'n Aurto’n se kehta hu’n k Deeni kaam me tum apne ghar walo Kï madadgaar ban jao ,unhe itminan ke saath Deen ke KAAMO me lagne ka moqa de do aur gharelu KAAMO ka unka bojh halka kar do ,Taki woh be fikr hokar Deen ka kaam kare, agar Aurte’n ESA nahi karengi to ”Hibalatus Shaitan” ho jayengi ( Yani Shaitaan ka Jaal v Fanda ),*

*❀•. Deen Kï Haqeeqat he Jazbaat ko Allah ke Hukmo ka paband karna, Sirf Deeni Masail ke jaanne ka naam Deen nahi he, Yahudi Ulma Deen Kï baate aur Shariyat ko bahut jaante the lekin apne jazbaat ko unhone Allah ke Hukmo ka paband nahi kiya tha, isliye magzoob aur mardood ho gaye,*               
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Allah ke Deen Kï Madad Karo,*

*❀••• Isi Baat Cheet ke Dauraan Hazrat se Kisi khaas Maamle me Dua Kï Darkhwast Kï gayi to farmaya:-*

*❀••• Jo koi Allah ka Taqwa Akhtyar kare yani Jazbaat ko Allah ke Hukmo ke taabe kar de to fir Allah Ta’ala uski Tamaam mushkile Gaib ke parde se Hal karte he’n aur ese Tareeqo se uski Madad karte he’n k khud use waham v Gumaan bhi Nahi hota,*

*❀••• Allah Kï Khaas Madad haasil karne Kï Yaqeeni aur Shartiya Tarteeb ye he k uske Deen Kï madad Kï jaye,*

*❀•• ”in tansurullaha Yansurukum” Agar Tum Allah ke Deen Kï Madad karo to halaak karne wali Cheeze Tumhare Liye Zindgi aur Araam ka Samaan ban jaye ,Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Ji jaan se Allah ke Deen Kï Madad Kï to Allah ne Aag ko gulzaar bana diya ,ESE hi Hazrat Moosa Alaihissalam aur unki Qaum ko us Dariya ne jiski khasiyat dubona he Salaamti ke saath Saahil Tak pahu'ncha diya,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ .2 Jamadilula 1363 Hijri ( 25-04-1944) Devband Ke Talba Kï Jama’at ko khitaab*

*❀• Apne Tamaam Ustaado Kï izzat aur un sabka adab v ahatraam aapka khaas aur bada farz he ,Aapko unki esi izzat karni chahiye jese Kï Deen ke imaamo Kï Kï jati he, Woh Aap logo ke liye Nabvi ILM ke haasil karne ka zariya he’n ,Agar unke darmiyan kuchh niza’ata ( Jhagde ) bhi ho tab bhi Adab v izzat ka talluq sabke saath barabar rehna chahiye, Chahe Muhabbat v aqeedat kisi ke saath kam aur kisi ke saath Zyada ho lekin tazeem me fark na aana chahiye aur Dil me unki taraf se buraai na aana chahiye,*

*❀• Quran Majeed ne to har Momin ka yeh Haq bataya he k Unki taraf se apne Dilo ko saaf rehne Kï Allah Ta’ala se Dua Kï jaya kare, Rasulallah ﷺ farmaya karte the, Tumme se koi mujhe ek doosre Kï na pahunchaya kare, Mai'n chahta hu’n k mai jab tumhare paas aau’n to mera Seena sabki taraf se saaf ho,*

*❀ • in cheezo ka Ajr (yani chhote bado ke Huqooq Kï ri’ayat) Arkaan se kam nahi he balki Zyada hi he, unke Huqooq Kï adaygi ka maamla bahut aham he aur fir is darje me ilme Deen ke Ustaado ke Huqooq ka maamla Zyada najuk he,*

*❀. To in Talbao’n ko mera ye paigaam pahunchao k Apni Zindgi ke is pehlu ki islaah Kï khaas tor per fikr kare,*
           
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Kufr Taqatwar he, ijtimayi Koshish honi chahiye,,*

*❀_• Pasand ko mubashrat ke barabar samajhna bada dhoka he aur Shaitaan yahi karta he k Aadmi ko Pasand per hi Kaafi samajhne wala bana deta he• is irshad ka matlab ye he k Kisi achchhe kaam ko sirf achchha samajh lene se us kaam me Shirkat nahi hoti ,balki usme lagne aur usko karne hi se uska Haq ada hota he,*

*❀• Lekin bahut Se logo ko Shaitaan ye dhoka deta he k Woh kaam se muttafik ho Jane ko kaam me lag Jana aur Shamil hona samajhne lagte he’n ,Ye shaitaan ka bada dhoka he, Hamari ye Tehreek Dushmano ko bhi Dost Banane Wali hai, aa jaye jiska Ji chahe,*

*❀. Bhai ! Is waqt Kufr v ilhaad bahut taqatwar he, esi haalat me muntshir aur infiradi islahi koshisho se kaam nahi chal sakta ,isliye poori taaqat ke saath ijtimayi koshish honi chahiye,*

*❀• Kaynaat ko tumhara khadim isliye banaya gaya tha k Tum Allah Ta’ala ka kaam karo aur uski ita’at v bandgi aur uski marzi ke farog me lage raho ,Jab Tumne apna ye Farz chhor diya to zameen v Asmaan bhi Tumse fir Gaye,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
        *☞_ Haqeeqat e ilm v Zikr,,*

*❀↬• ilm v Zikr ko mazbooti se thaamne Kï zyada zarurat he ,magar ilm v Zikr Kï Haqeeqat achchhi tarah samajh Lena chahiye, Zikr Kï Haqeeqat he laparwahi na hona aur Deeni farayaz Kï adaygi me lage rehna ,Sabse ounche darje ka Zikr he,*

*❀• isliye Deen Kï madad aur uske felane Kï koshish me lage rehna Zikr ka ouncha darja he ba sharte k Allah ke Hukmo aur Vaado ka khayal rakhte hue ho,*

*❀ • Aur nifli Zikr is waaste he k Aadmi ke Jo Avqaat fara’iz me mashgool na ho Wo bekaar baato me na guzre ,Shaitaan ye chahta he k fara’iz me lagne se Jo Roshni paida hoti he aur Jo taraqqi haasil haasil hoti he Wo bekaar baato me laga ke usko barbaad kar de ,isse hifazat ke liye nifli Zikr he,*

*❀_ Garz k fara’iz se Jo waqt faarig ho usko nifli Zikr se poora kiya jaye taki shaitaan bekaar baato me mashgool karke Hume nuqsaan na pahuncha sake,*

*❀• Aur nifli Zikr ka Ek khaas aham faayda ye bhi he k isse Aam Deeni KAAMO me Zikr Kï shaan paida hoti he Aur Allah ke Hukmo ke poora karne me aur uske Vaado ke Shoq me Kaam karne Kï maharat paida hoti he,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
    *☞_ Sirf Jaan Lena ilm nahi he,*

*❀• Fara’iz me lagna Yaha’n tak k Namaz me padhna bhi agar Allah ke Hukmo aur Vaado ke dhyan ke saath na ho to Asli Zikr nahi , Balki Jism ke kuchh hisso ka Zikr he aur Dil Kï gaflat he Aur Hadees me Dil hi Ke mutalliq he k, Insaan ke Vajood me Yahi Wo center he k agar Wo theek ho to fir sab theek he aur agar ye kharab ho to sab kharab he,*

*❀• To asli Cheez he bas Allah ke Hukmo aur Uske Vaado ke dhyan ke saath Allah ke kaamo me laga rehna, Yahi hamare nazdeek Zikr ka haasil he Aur ilm se Muraad Sirf Deeni Masa'il aur Deeni uloom ka jaanna nahi he,*

*❀. Dekho Yahood apni Shariyat aur Apne Asmaani uloom ke kese Aalim the k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke nayabo ke nayabo tak ke huliye aur naqshe, Yaha’n tak k unke Jismo ke Til ke mutalliq bhi unko ilm tha, lekin kya in baato ke sirf jaan lene ne unko faayda diya ?*

*❀• ( Kuchh Rivayato me he k) Kuchh Yahoodi Ulma ne Hazrat Farooqe Azam Raziyallahu Anhu ke Badan ke kisi khaas hisse per Til ya Til ke qism ka koi nishaan dekh kar unke mutalliq bata diya tha k Ye Shakhs Nabi -a- Akhiruzzama’n Sallallahu Alaihivasallam ka khalifa he’n ,aur baitul muqaddas inke daur me fatah hoga,*
        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
           *☞__Imaan ka Taqaza ,,*

*❀•• Imaan ye he k Allah aur Rasool ﷺ ko Jis cheez se Khushi aur Araam ho Bande ko bhi usse Khushi aur Araam ho Aur Jis cheez se Allah aur Rasool ﷺ ko nagawari aur takleef ho Bande ko bhi usse nagawari aur takleef ho,*

*❀•• Aur Takleef jis tarah talwaar se hoti he usi tarah sui se bhi hoti he, Pas Allah v Rasool ko nagawari aur takleef Kufr v Shirk se bhi hoti he aur Gunaah Se bhi, Isliye Hukmo bhi Gunaah se nagawari aur Takleef honi chahiye,*

*❀•• Farmaya:- Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke zamane me Ummul Momineen Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha’n Jab maale ganimat me se unka hissa pahuncha (Jo shayad miqdaar me Zyada hoga aur usse unko dilbastgi ka andesha hua hoga) To pareshan ho kar Dua farmayi k Ey Allah is Ghar me ye fir na aaye, Chunache esa hi hua,(Yani unki wafaat ho gayi )*

*❀•• Niyat ke saath Momin Bando Kï khidmat Abdiyat Kï seedi he,* 
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Momin ka Rupiya Deen ke Kaam Aaye,*

*❀↬• Mashwar badi cheez he ,Allah Ta’ala ka Vaada he k Jab tum mashware ke liye Allah per bharosa karke jam kar bethoge to uthne Se Pehle Tumko Neki Kï Tofeeq mil jayegi,*

*❀• Farmaya :- Hazrat Farooqe Azam Raziyallahu Anhu aur isi tarah Doosre Sahaba Raziyallahu Anhum Kï Aamdaniya’n bahut thi aur Apne ouper kharch karne me bhi Wo Bahut soch samajh kar Kharch karne wale the, Unka khana unka Pehanna bahut mamooli tha aur nihayat saada balki fakeerana Zindgi guzaarte the,*

*❀_ iske bavjood unme Se Bahut se Duniya se qarzdaar gaye, Kyu'nki Wo Apni saari Aamdani Deen Kï Raah me kharch kar dete the, Dar asal Momin ka Rupiya isiliye he k Wo Allah ke kaam aaye,*

*❀_. BARKAT ye he k koi cheez aadtan jis waqt aur jis haalat me khatm ho jani chahiye Wo usme khatm na ho aur baqi rahe, Huzoor ﷺ Kï Dua se baaz Avqaat Khane vagera me barkat ke Jo waqiyaat hue he’n unki qism yahi thi k Asal cheez khatm nahi hoti thi ,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
         *☞__Apna Muhasba Karo,*

*❀↬• Jo Kaam ho chuka Uska kya Zikr karna he ,Bas ye dekho k Jo kuchh Humko karna tha usme se kya reh gaya aur Jo kuchh kiya ja chuka usme Kitni aur kesi kesi kotahiya’n hui, ikhlaas me kitni kami rahi ,Allah Ta’ala ke Hukm Kï azmat ke DHYAN me kitna kusoor hua ,Amal ke adaab Kï talaash me aur itteba Kï koshish me kitna nuqsaan raha ?*

*❀• in Hukmo ke bager Pichhle kaam ka Zikr muzakrah aur us per khush hona bas esa he jese Raaste chalne wala musafir khada hokar pichhe Kï taraf dekhne lage aur khush hone lage,*

*❀ • Pichhle kaam Kï sirf kotahiya’n talaash karo aur unko poora karne Kï fikr karo aur Aainda ke liye socho k kya karna he ? Ye mat socho k ek Shakhs ne hamari baat samajh li aur aitraaf kar liya balki is per gor karo k ESE kitne laakh aur Karod baqi he Jinko hum abhi Allah Kï baat pahuncha bhi nahi sake aur kitne he’n Jo Jaankari aur aitraaf ke baad bhi hamari koshisho Kï kami Kï Vajah se Amal per nahi pade,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
       *☞__Namaz Deen Ka Sutoon ,,*

*❀↬• Namaz ko Hadees me Deen ka sutoon Farmaya gaya he, iska matlab ye he k Namaz per baqi Deen mu’allaq he aur Wo Namaz hi se milta he,*

*❀• Namaz se Deen ka tafaqqoh bhi milta he aur Amal Kï Tofeeq bhi milti he, Fir jesi Jiski Namaz hogi Wesi hi uske Haq me ata bhi hogi• Isliye Namaz Kï Dawat dena aur Logo ki namazo me khushu v khujoo paida karne Kï koshish karna bilwaasta poore Deen ke liye koshish karna he,*

*❀. Farmaya::- Jo kaam Awaam mukhliseen Se liya ja sakta ho aur usse un mukhliseen ke darje aur Ajr me Taraqqi Kï Ummeed ho,Wo unse na Lena aur usko khud karna, Un mukhliso ke saath hamdardi nahi he balki un per ek tarah ka Zulm he ,aur Allah ke Kanoon Kï naqadri he,*

*❀• Bhai Deen per Amal bade tafaqqoh ko chahta he,*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞Ahle Haq ko Dawat Kï zyada zarurat,*

*❀•↬• Ye bahut aham usool he k Har tabqe ko Dawat usi cheez Kï Dï jaye jiska Haq hona aur zaroori hona Wo khud bhi maanta ho aur Amal me kotahi ko apni kotahi samajhta ho, Jab Wo tabqa un cheezo per Amal karne lagega to agli cheezo ka ahsaas khud ba khud paida hoga aur unki adaygi Kï salahiyat bhi paida hogi,*

*❀•• Farmaya ::- Jo jitne Zyada ahle Haq he’n unme utne hi Zyada kaam aur koshish Kï zarurat he ,unka Deen ke waaste uthna bahut zaroori he kyuki Wahi Asal aur Jad ho sakte he’n,*

*❀• •Afsos ! Jo log Deen ke liye Kuchh bhi nahi kar rahe he’n aur Deen ke maamle me bilkul hi gaafil aur pichhde hue he’n, Hum unko dekh dekh kar Apni Zara si koshisho v harkat per qaane aur mutma’in ho jate he’n, Aur samajhne lagte he’n k hum apna Haq ada kar rahe he’n,*

*❀•• Hala'nki chahiye ye k Allah ke jin bando ne Deen ke liye apne ko bilkul mitaya tha hum unke namoono ko Nazar ke saamne RAKH kar hamesha apne ko chhota aur kotahi karne wala samajhte rahe’n aur JITNA kar rahe usse zyada karne ke liye har waqt harees aur bechain rahe’n,*

*❀•__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko hamesha iski laalach rehti thi k kisi tarah Deen Kï khidmat me Wo Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ka maqaam paa le,* 
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
*☞_Lambi Baat aur Lamba mutalba na ho,*

*❀↬• Tablig ke adaab me se ye he k baat bahut lambi na ho aur Shuru me logo se sirf utne Amal ka mutalba kiya jaye Jisko Wo bahut mushkil aur bada bojh na samjhe, Kabhi kabhi lambi baat aur lamba mutalba logo ko Moo'nh ferne Kï vajah ban jata he,*

*❀•• Bahut se log ye samajhte he’n k bas pahuncha dene ka naam Tablig he, Ye badi galat fehmi he, Tablig ye he k Apni salahiyat aur qabiliyat Kï had tak logo ko Deen Kï baat is tarah pahunchayi jaye ,Jis tarah pahunchane se logo Ke maanne Kï Ummeed ho ,AMBIYA Alaihimussalaam Yahi Tablig laye he’n,*

*❀• •Farmaya ::- Fazail ka Darja Masail se Pehle he, Fazail se Amaal ke Ajar per Yaqeen hota he Jo imaan ka maqaam he aur isi se Aadmi Amal ke liye Taiyaar hota he, Masail maloom karne Kï zarurat ka ahsaas to tab hi hoga jab Wo Amal per Taiyaar hoga, isliye hamare nazdeek fazail Kï ahmiyat zyada he,*
         
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
       *☞_ Muhabbat Ka Taqaza,*

*❀↬• Farmaya ::-Asli Muhabbat ka taqaza ye hota he k Muhabbat karne wale aur Mehboob ke jazbaat aur khwahishaat tak me poora ittihaad hota he,*

*❀• Mere Bhai Maulana Muhammad Yahya Sahab ( Reh.) Ka ye haal tha k bavjood ye k Wo Khanqaah Se door rehte the ,lekin Aksar ESA hota k achanak unke Dil me Khanqaah Jane ka taqaza paida hota aur Wo foran chal dete aur Jab darwaza kholte to Hazrat Gango'i ( Reh. ) ko intizaar me betha paate,*

*❀• Farmaya ::- K Allah Ta’ala se Jab kisi Bande ko Sachchi Muhabbat ho jati he to fir yahi maamla Allah Paak ke saath ho jata he k Uski khushiya’n Bande ki khushiya’n ho jati he Aur Jo baate Allah ko na pasand hoti he Bande ko bhi unse nafrat ho jati he Aur is Muhabbat ke paida karne ka tareeqa he Muhammad ﷺ ke tareeqe Kï farmabardari,*

*❀. Jo log Deendar aur Deen ko jaanne wale hone ke bavjood Deen ke felane ke liye aur ummat Kï islaah ke liye Wo koshish nahi kar rahe Jo Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kï qaayam maqaami taqaza he,*

*❀• Unke bare me Ek Roz Hazrat Kï zaban se nikal gaya k ,”un logo per BADA Raham aata he ,” uske baad der tak istigfaar farmate rahe ,fir irshad farmaya::- Maine istigfaar is per kiya k meri zaban se ye daave ka Kalma nikal gaya tha k ”mujhe un logo per Raham aata he",*
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_Hamari Masjide Masjide Nabvi Ka Namoona bane,*

*❀↬•Farmaya:- Masjide’n Masjide Nabvi Kï Betiya’n he, isliye Unme Wo sab kaam hona chahiye Jo Huzoor ﷺ Kï Masjid me hote the,*

*❀• Huzoor ﷺ Kï Masjid me NAMAZ ke alawa Taleem v Tarbiyat ka kaam bhi hota tha aur Deen Kï Dawat ke silsile ke sab kaam bhi Masjid hi se hote the, Deen Kï Tablig ya taleem ke liye Kaafilo (Jama’ato) Kï rawangi bhi Masjid hi se hoti thi, Yaha’n tak k Faujo tak ka nazm bhi Masjid hi se hota tha, Hum chahte he’n k Hamari Masjido me bhi usi Tareeqe per ye sab kaam hone lage,*

*❀• Sahi kaam ka tareeqa ye he k Jo kaam niche darje ke logo se liya ja sakta ho ,Wo unhi Se liya jaye, Unse ounche darje ke logo ka usme lagna Jabki Niche darje ke kaam karne wale bhi naseeb ho ,badi galti he balki ek tarah se niyamat Kï nashukri he aur niche darje walo per Julm he,*

*❀ • Deen Kï Dawat ka ahatmam mere nazdeek is waqt itna zaroori he k agar ek Shakhs Namaz ( Nifli ) me MASHGOOL ho aur ek NAYA Aadmi aaye aur Wapas Jane lage aur fir uske haath aane Kï Ummeed na ho, To mere nazdeek Namaz (nifli Namaz) ko darmiyan me Tod kar usse Deen Kï Baat kar leni chahiye aur Usse baat karke ya Usko ROK kar Apni Namaz fir Se padhni chahiye,*
      
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Har Achchhe se Achchhe Kaam ke khatm per istigfaar ho,*

*❀↬• Farmaya :- Meri haisiyat ek Aam Momin se ounchi na samjhi jaye, Sirf kehne per Amal Karna Bad Deeni he, Mai’n Jo kuchh kahu’n Usko Kitaab v Sunnat per pesh karke aur khud gor v fikr karke Apni zimmedari per Amal karo, Mai’n to bas mashwara deta hu’n,*

*❀• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Apne Saathiyo se kaha karte the k,”Tumne mere Sar Bahut Badi Zimmedari daal Dï he, Tum Sab mere A'amaal Kï Nigrani kiya karo ,” Mera bhi Apne Dosto se bade israar aur mannat se ye Darkhwast he k Meri Nigrani karo, Jaha’n Galti karu’n waha’n Toko aur meri Hidayat v Durustgi ke Liye Duae’n bhi Karo,*

*❀. Farmaya :- Shariyat me Jo ye Taleem di gayi he k Har achchhe Se achchhe kaam ke khatm per istigfaar kiya jaye, mere nazdeek isme ek Raaz ye bhi he k Shayad is achchhe kaam me mashguli aur masroofiyat Kï Vajah se kisi Doosre Hukm ko poora karne me kotahi ho gayi ho, Khaas kar jab kisi kaam Kï lagan me Dil lag jata he aur Dil v Dimaag per wo kaam chhaa jata he to fir iske alawa Doosre KAAMO me Aksar der ho jati he,*

*❀_ Isliye Hamare is kaam me lagne walo ko khaas Tor se kaam me Jamne aur kaam ke khatm per istagfaar Kï kasrat apne Ouper Zaroori kar Leni Chahiye,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Kaam hikmat aur Basirat se kare’n,*

*❀↬• Ye Baat zaruri he k Apni mehnato ke saath saath is kaam Kï Haqeeqat aur iska tarze tareeq aur iske Usool v Adaab samajhne Kï koshish bhi karte rahe’n aur apne Buzurgo se tehqeeq bhi karte rahe’n, Allah Ta’ala Kï Aayat aur Ahadees e Nabvi se mutab'at karte rahe’n taki is kaam ko sirf taqleedi tareeqe per nahi balki apne Qalbi inshrah aur Basirat ke saath karne wale ho aur is kaam Kï Haqeeqat hum per khulti chali jaye,*

*❀• Aur Hikmat ke saath Hume is kaam ko karna aa jaye taki Musalmano ke Aam tabqe ko bhi aur khwaas ko bhi Jo mukhtalif Deeni Kaamo me LAGE hue hai’n Apni Hikmat aur Akhlaq ke zariye iski taraf mutavajjah kar sake aur kisi ko is baat per ishkaal na rahe aur is aitraaz ka moqa na mile k ye kaam poore Deen ke liye aham darja rakhta he aur tamaam Shobe iske andar Dakhil hai’n,*

*❀ • Apne ko Kam ilm samajhte hue aur mohtaaj jaante hue Haq Ta’ala Shanh se iski Duae’n bhi kar rahe ho k Allah Hume ye baat samjha de ,Kyuki Shaitaan Aaj bahut asaani se Hume is Baat per mutmain kar deta he k Hum is kaam ko samajh gaye,*

*❀. Halanki Maulana ilyaas Sahab Reh ka ye malfooz he k Mai’n is kaam ka hazaarva hissa bhi logo ke saamne pesh nahi kar sakta aur Jo kuchh pesh kiya uska hazaarva hissa bhi Kisi ne nahi samjha, To Jab inka ye farmana he to hum kis darje mai isko samajh sakte hai’n,*
    
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Deeni Shobo se Taqabul na Ho,*

*❀↬• Abhi tak to Hume Dawat dena bhi nahi aayi aur iski Hikmat aur Basirat se bhi waqfiyat nahi hui Jiski Vajah se bahut se Hazraat ko Khususan Kisi Deeni Shobo ko chalane walo ke liye Hamari Dawat aur Hamare Bayano se aitraaz paida ho jate he’n k Goya Hum in Shobo ko naaqis samajh rahe he’n, ya Unko Haqeer samajh rahe he’n,*

*❀• Agar Hume Dawat ka Sahi Sahi tarz aa jaye to har ek Hume apna Hamdard aur Khairkhwah samajh kar Khud bhi qareeb hoga aur Hume bhi apne se qareeb karega, Masalan Jab Hum Dawat ke Number ko aur uski ahmiyat ko Bayan karte he’n to Kabhi ilm walo ke Shobo per yani Madaris per is tarah foqiyat dete he’n Goya Wo iske muqable me kuchh bhi nahi ,aur Kabhi zikr walo ke muqable me, Jesa k Bahut se Taqreer karne wale Huzoor ﷺ Kï Fazilat Doosre Ambiya Alaihissalam ke muqable me is tarah Bayan karne lagte he’n k Doosre Ambiya Alaihissalam Kï tanqeed laazim aane lagti he aur unka ye tarze Bayan Deen ke liye Bahut Khatarnak he, Ese hi hamara tarze Bayan bhi Khatarnak ho jata he,*

*❀ _Ahle ilm ko Dawat dene ka Tarze bayan ye hona chahiye k pehle ilm ke khoob Faza'il Bayan kare aur ilm walo ke darjaat bayan kare Jo Ayaate Qurani aur Ahadees me aaye he’n aur itna bayan kare k Khud hamara Dil ilm aur ilm walo Kï Azmat aur Muhabbat se bhar jaye, is Nisbat se k ye ilm Haq Ta’ala Kï Sunnat he aur hum apne apne ko ilm aur ilm walo ka mohtaaj samjhe, Fir ye kahe k ye ilm poori Ummat ke har Fard me ba-qadr iski ahatyaaz aur zaruriyaat ke Kaise aa jaye ,iske liye Mehnat hai ,*

*❀ • Agar is ilm aur is Mehnat ko karte hue ilm Kï isha’at kare to Ummat ka koi fard ESA Jaahil na rahe k usko zarurat ke ba-qadr ilm na pahu'ncha ho, Aurat ho ya Mard har ek iska mohtaaj hai ,isliye hum is Mehnat me Ahle ilm ke zyada mohtaaj hai’n,*

*❀_Ahle Zikr ko Dawat dene ka Tarz:- ESE hi Zikrullah Kï aur Zikr walo Kï Khoob ahmiyat bayan kare Jo Quran v Ahadees me aayi hai Aur is qadar zok v shoq ke saath hum bayan karne wale ho k hamara Dil Zikr Kï Azmat aur Zikr karne walo ke Ahatraam se bharpoor ho jaye aur mutassir ho jaye• Fir ye Bayan kare k Zikr ka to Ummat ka har Fard mohtaaj hai Aurat ho ya Mard ,Unme Zikr Failane ke liye hum Zikr karne walo ke mohtaaj hai’n,*
       
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Deen ke Shobo me Taqabul nahi Ta’awun ho,*

*❀↬• Bayan me Ek number ko Doosre number ka muqabil na thehraya jaye ( Kyunki Muqable se Tanqeed ka Shaa’iba aa jata he) Baliki Mu’awin qaraar diya jaye ,Kyunki Deen ke Tamaam Shobe ESE hi hai’n Jese insaan ke A’aza Jawareh,*

*❀• Aa'nkh se DEKHNE ka kaam, Zaban se bolne ka kaam, haath se pakadne ,Kaano se Sunne, Pairo se Chalne, Dimaag se Sochne ka kaam, Ye saare kaam insaan ke liye zaroori hai’n, Agar ek Uzv me bhi kamzori hogi ya Nuqs hoga to usse Tamaam Jism ko Takleef hogi aur Cheezo se istefada me nuqsaan hoga• In sab A’aza Kï sakht zarurat he, Ye sab A’aza ek Doosre ke madadgaar hai’n, Muqabil nahi hai’n,*

*❀ • isi tarah se Allah ka Zikr aur ilm ,ibaadat , Khidmat aur Maamlaat sab ek doosre ke mu’awin hai’n muqabil nahi. Mu’awin hone hi Kï Vajah se Deen mukammal hota he, Dawat to sirf in Tamaam Shobo ko Duniya me Failane Aur Aam karne hi ke liye hai,* 
   
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Dawat me Zauf ka Tamaam Shobo per Asar,*

*❀↬• Agar Dawat me Zauf ya nuqs hoga to iska asar Tamaam Deeni Shobo per padhega aur Shobo se iska Asar husoole Raza per aayega k kamzori ke saath ya nuqs ke saath Shobo me chalne wala Allah Ta’ala Kï Kaamil Raza haasil nahi kar sakta 
*❀• iski misaal isse samajh me aati hai k Duniya me ek Phal he ek unke liye darakht he ,ek darakhto ke liye Zameen he, Maqsoode bizzaat na darakht he, na zameen balki Phal he, Lekin Phal ke liye moqoofe Alayhi Darakht he k Bager Darakht ke Phal ka vajood nahi hota, go Haq Ta’ala Shanh is per qaadir hai’n magar asbaabe Duniya se insaan ko marboot kiya he aur Darakht bager zameen ke nahi paaye jate,*

*❀ • Lekin agar Zameen me istedaad kamzor he to iska Asar Darakht per padega aur Darakht Kï kamzori ka Asar Phal Kï Kamzori per,*

*❀. Isliye Maqsad har waqt hamari nigaah ke saamne aur nasbul ayn ban kar ho k Allah Ta’ala ko Kaamil Tareeqe se Raazi karne ka jazba hamare andar paida ho raha ho aur ye Yaqeen ho k Apne Awaamir ke baja laane hi se Allah Ta’ala Raazi hote hai’n,*
        
           ❦━━━━━━❀━━━━━❦
 *☞_ Haakim Kï Azmat Hukm poora karne ka Zariya he,*

*❀↬• Ye Allah ka Zikr Awamire Khudawandi ke liye Azmat aur Waqat paida karne ke liye he aur Aamir Kï Azmat Awaamir se Pehle he, Varna Awaamir ka poora karna mushkil ho jata he,*

*❀• Baadshah ke Ahkamaat us qadar hi logo me Jaari ho sakte he’n jis qadar k Baadshah ka dabdaba uski Azmat aur uski Muhabbat Dilo me hogi,*

*❀• To ye Dawat bhi Naazuk Tareeqa rakhti he, Apne ko Peesna padta he, Apni haisiyat khatm kar deni padti he,*

*💤 HAZRAT MANZOOR NO'AMANI REH. KI TASNEEF SHUDA MALFUZAAT SE MAZKOOR _,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
   http://www.haqqkadaayi.com
*👆🏻 Visit For All Posts _,*
https://chat.whatsapp.com/DsQk3786EvG3qjKxWF7Hsl
*👆🏻 What's app Per Mukammal Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/LmMjlq3Rmoi67AxLFcZxqI
*👆🏻 What's app Per Sirf Roman Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
                         ⚫☆⚫

Post a Comment

0 Comments