┯━══◑━═━┉─◑━═━━══┯
*●•AURAT KI ISLAAHI ROSHNI •●*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurat Ki islah Sabse Zyada Uske Shohar Sw Hogi Basharte K Mard bhi Neki Ka Raasta Akhtyar Kar le :-*
*★_ Mard Agar Paarsa Tabiyat na ho to Aurat kab Saleha ho Sakti hai, Haa'n Agar Mard khud Saleh bane to Aurat bhi Saleha ban Sakti hai, Qaul se Aurat ko Nasihat na Deni chahiye balki Fail se Agar Nasihat di jawe to uska Asar Hota hai, Aurat to Dar kinaar aur Hai bhi Kon Jo Sirf Qaul se kisi ki maanta hai,*
*★_ Agar Mard Koi Kami ya Khaami Apne Andar rakhega to Aurat Har Waqt ki us Per Gawah hai, Agar wo Rishwat le kar Ghar aaya hai to uski Aurat Kahegi k Jab Khawind laya hai to Mai'n kyu Haraam Kahu'n, Garz k Mard Ka Asar Aurat per Zaroor padta hai aur Wo khud hi use Khabees aur Tayyab banata hai, isliye Farmaya hai:-*
*"_ ( Tarjuma Surah Noor-26) Khabees Aurte'n Khabees Mardo'n Ke Layaq hai'n aur Khabees Mard Khabees Aurto'n ke Layaq hai'n aur Paak Aurte'n Paak Mardo'n ke Layaq hai'n aur Paak Mard Paak Aurto'n Ke Layaq hai'n _,"*
*★_ isme Yahi Nasihat hai k Tayyab (paak) bano Varna Hazaar Koshish kar lo kuchh na banega, Jo Shakhs khuda se khud nahi darta to Aurat usse kese daregi ? Na Ese Molviyo'n ka Waaz asar karta hai na Khawind ka, Har Haal me Amali Namoona Asar kiya karta hai,*
*★_ Bhala Jab Khawind Raat ko Uth uth kar Dua karta hai, Rota hai to Aurat Ek Do din tak dekhegi Aakhir Ek din use bhi khayal Aayega aur Zaroor mutassir hogi, Aurat me Mutassir hone ka Maadda bahut hota hai , Uski Durutgi ke waaste koi madarsa bhi kifayat nahi kar sakta Khawind ka Amali Namoona Kifayat karta hai, Khawind ke Muqable me Aurat ke Bhai Behan vagera ka bhi kuchh Asar us per nahi hota_,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Aurat Andar Andar Mard Ke Akhlaaq Ki Chori Karti rehti hai _,*
*★_ Khuda ne Mard Aurat Dono Ka Ek hi vajood farmaya hai, Ye Mardo'n Ka zulm hai k Wo Apni Aurto'n Ko Esa Moqa dete hai'n k Wo unka Nuqs Pakde, Unko Chahiye k Aurto'n Ko Harfiz Esa moqa na de k Wo ye keh Sake k Tu Fala'n Burayi karta hai Balki Aurat Koshish kar kar Thak Jaye aur Kisi Burayi ka pata use mil hi na sake to us Waqt usko Deendari ka Khayal hota hai aur Wo Deen ko Samajhne Lagti hai,*
*★_ Mard Apne kirdaar ka imaam Hota hai aur Agar Wohi Bad Asar qaa'im karta hai to kis qadar Bad Asar padne ki ummeed hai, Mard ko Chahiye k Apni Quwwat ko Har Haal me Halaal moqe per istemal kare, Mard ki Tamaam Baato aur Ausaaf ko Aurat dekhti hai, Wo dekhti hai k Mere Khawind me fala'n fala'n Ausaaf Taqwa ke hai'n Jese Sakhawat Hilm Sabr aur jese use Parakhne ka moqa milta hai wo kisi doosre ko nahi mil Sakta,*
*★_ isiliye Aurat ko Saariq bhi kaha hai Kyunki ye Andar hi Andar Akhlaaq ki Chori Karti rehti hai, Hattaki Aakhir kaar Ek Waqt poora Akhlaaq haasil kar leti hai,*
*®_( Malfuzaat Hakimul Ummat- 3/157)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Khawateen Ka Taleem Yafta Hona Bahut Zaruri hai Kyunki Aurat Bachcho ki Pehli Darsgaah hai _,*
*★_ Kaynaat Aurat Ke Vajood Ke Bager na mukammal hai isliye Allah Ta'ala ne is Kaynaat me Mard aur Aurat ko Aala muqam ata farmaya, Lekin islam se Pehle Aurat ko koi muqam Haasil nahi tha, Aurto'n Ke Saath Achchha Sulook nahi kiya jata tha, Islam ne Aurat ko Ek Tahaffuz diya aur Ek Esi Qadr ata ki k Aurat ko Maa'n ke Qadmo Tale jannat ka Darja diya,*
*★_ Islam ne Aurat ko Ek Bada Martaba ata kiya aur uski Taleem ko badawa diya, Aaj Aurat ki Taleem ki Ahmiyat ko Tasleem karna bahut zaruri hai, Ek Moatbar Samaj ke liye Mardo'n ke Saath Aurto'n ka bhi Taleem Yaafta hona bahut Zaruri hai, Islam ne Aurat aur Mard Dono ko ilm haasil karne ki Takleed ki hai Chahe iske liye kesi hi mashakkat uthani pade,*
*★_ Mard aur Aurat Gaadi ke Do Pahiye hote hai'n, Gaadi Ek Pahiye per nahi chal Sakti, Yahi haal hamare ma'ashre ka hai, isme Mard aur Aurat Dono ki Ahmiyat Yaksa'n hai, Jab Tak Dono ilm Haasil nahi karenge Hum kisi Soorat Taraqqi nahi kar Sakte,*
*★_ Aurto'n ki Taleem Jisme Deen v Mazhab, Akhlaaq v Kirdaar ki islah Shamil hoti hai, Jisme Aurat aur Huqooq v Fara'iz ko pehchan sake, Bachcho ki Tarbiyat me Saliqa Mandi se kaam le Sake,*
*★_ Purane Zamane me Aurto'n ki Taleem per khaas Tavajjo nahi di jati thi, Jo'n Jo'n Zamana badalta gaya Aurto'n ki Taleem per zor diya gaya kyunki Aurat Apne Bachcho ki pehli Darsgaah hoti hai, Wo Aage bad kar Qaum ki Takhleeq ko ek nayi Shinakht deti hai, kisi bhi Bachche ka Mustaqbil uski Walida ki Taraf se diye gaye Pyar aur Parwarish per munhasir hota hai jo Sirf Ek Aurat hi kar sakti hai,*
*★_ Agar Maa'n Taleem Yaafta hai to Aulaad bhi Sahibe ilm aur Mahzab hogi Kyunki Bachche ka zyadatar waqt Maa'n ke Qareeb guzarta hai, isliye padhi likhi Maa'n Bachche ke Khayalaat ko nikhaar sakti hai, Apne Huqooq v Fara'iz se Ba qayda Agaah hoti hai aur Bachcha Tehzeeb Yaafta Mahol me dhal kar Madarsa jata hai, Taleem Yaafta Aurat Apne Khandan ki ma'ashi haalat ko Sudharne ke liye kaafi madadgaar Saabit hoti hai aur Sirf Apne Bachcho ki hi nahi balki Aas Paas ke Bahut Saare Logo'n ki Zindgiyo ko bhi Tabdeel kar Sakti hai aur Mulk ki Taraqqi me bhi Aham Kirdaar Ada kar Sakti hai,*
*★_ Ek Aurat Apni Zindgi me bahut se Rishte nibhati hai, Maslan Maa'n Beti Behan Bivi, kisi bhi Rishte me aane se pehle Aurat Mulk ki Azaad Shehri hai, Use Apni khwahish ke Mutabiq Taleem Haasil karne ka Haq hai, Taleem na Sirf Ma'ashre me Khawateen ka maiyaar buland karti hai balki Ma'ashre ki Tang Soch ko bhi khatm karti hai, Aurat ki Taleem ke bager hum Taraqqi Yaafta Samaj ka Khwab nahi dekh Sakte,*
*★_ Khawateen ke Zariye hamara Ma'ashra Mehzab aur Ba Akhlaaq aur Ba Saliqa hota hai, isliye Islam ne Mardo'n ke Saath Saath Aurto'n ki Taleem per zor diya hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Har Kamyaab Mard Ke pichhe Aurat ka Haath Hota hai:-*
*★_ Nepolian Bonaparte ne Ek Martaba kaha tha k Tum Mujhe Padhi Likhi Maae'n Do Mai'n tumhe Ek Behatreen Qaum Dunga _,*
*"_ Maa'n Ki God insaan ki pehli Darsgaah hoti hai, Har Kamyaab Mard Ke pichhe Aurat ka Haath Hota hai, Aurat Mard ke Shana ba Shana chali hai, Mard Ka kaam Rozi Roti kamana hota hai Lekin. Aurat Ghar Ke Nizaam ko aur Umoor Khanadaari aur Bachcho ki Sahi Parwarish karti hai, Mard Ki Taleem Sirf Mard Ki Taleem hai Lekin Aurat ki Taleem Saare Khandaan ki Taleem hoti hai, Aurat Ki Taleem se Ek Achchhe Khandaan ki Buniyad hoti hai,*
*★_ Agar Ladki Taleem Yaafta hogi to Mulazmat kar ke Apne Ghar ka Kharch Utha Sakti hai aur Ghar aur Ghar ke Bahar ki zindgi me Apne Shohar ka Sahara ban kar bhi Zindgi guzaar sakti hai, Khawateen v No Umr Ladkiya'n Qur'an paak, Diniyaat aur Akhlaaq v islah ki itni Taleem Haasil kar le k Wo Apne Huqooq v Fara'iz se Ba qayda Agaah ho Sake, Jo Ladkiya'n Taleem Yaafta nahi hoti hai'n Chahe Wo Khoobsurat hi kyu na ho Unhe Aksar Sharmindgi uthani padti hai, isliye Aurat ko Taleem se Araasta hona bahut Zaruri hai,*
*★_ Khawateen ko chahiye k Wo Apni Betiyo'n ko Taleem ki Ahmiyat se Agaah kare, Unke Fayde bataye aur unhe Deeni aur Duniyavi Taleem ke Zever se Araasta kare taki unki Betiya'n bhi Ma'ashre me Apne Buniyadi Huqooq ke liye lad Sake aur unse istefada kar Sake taki Aainda aane Wali Nasle bhi Taleem ke Zariye Apne pairo per khade ho Sake aur Ma'ashra me Apna Waqar Martaba aur Apni Azmat ko barqarar rakh sake,*
*★_ Kyunki Taleem Yaafta Khawateen hi Apne Khandaan aur Ma'ashre me Khush haali aur Tabdili la sakti hai aur Ek Jadeed Ma'ashra Tashkeel de Sakti hai, Khawateen ki vajah hi se Kaynaat me Rang hai _,*
*®_( Ma'ashrari Akhlaaq -175)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Huzoor ﷺ Ke Daur me Khawateen ki Taleem v Tarbiyat is Tarah Hoti thi _,*
*★_ insaani Ma'ashra Mard v Aurat Dono ki Quwaato, Salahiyato aur Sargarmiyo se Tashkeel pata hai, isme kisi ek ko Nazar Andaz nahi kiya ja sakta aur Kisi ki Ahmiyat Kam nahi ki ja Sakti, Ek Mahzab Ba Waqaar aur Taraqqi Yaafta Ma'ashre ke liye Laazim hai k uske Afraad Mahzab aur Taleem Yaafta ho'n, Jis Tarah Kamzor ie'nte imaarat ki Quwwat Hayaat ghata kar use Kamzor ban deti hai'n, isi tarah Jaahil Afraad bhi Apne Ma'ashre ko pasti aur Tanazzul se hum kinaar kar dete hai'n Kyunki Kamzor Afraad per Mazboot Ma'ashre ki Tameer mumkin hi nahi,*
*★_ islami Ma'ashre ki Buniyadi Khususiyat uske Afraad ke imaan v ilm aur Seerat v Kirdaar ki masaliyat hai, is Ma'ashre me imaan ka Rishta ilm se, Qadeem Ma'ashre ki Tarah kata hua nahi balki Had Darja mazboot aur mustahkam hai, Balki islami Ma'ashre ki Buniyad hi imaan v ilm ke Judwa Nazariye per daali gayi hai, Nabi Kareem ﷺ per Jo Wahi Naazil hui wo ilm v imaan ke is Muqaddas v Mustahkam Rishte ka Elaan hai, Jisme Arab ke Na Khwanda Ma'ashre me ilm ki Shama Roshan ki gayi hai aur Pehli martaba padhne Likhne aur ilm Haasil karne ki Ahmiyat ka Shaoor paida kiya gaya hai,*
*★_ Agar is baat per Gor kiya jaye k islam ke aane ke Waqt ginti ke Chand log likhna padhna jaante they, Jinki Tadaad 24 se zyada nahi thi, Sirf 23 Saal ke Andar wo kaise Duniya ki ilmi imaamat ke mansab per Faa'iz ho gaye, To Suraag ye milega k ilm aur Taleem ki Ahmiyat ka Ahsaas paida karna aur bila imtiyaz v Takhsees Ma'ashre ki Har Sanaf aur mimbar ko Zever ilm se Araasta karna Nabi Kareem ﷺ ke Dawati mission ka Buniyadi hissa hai, Chuna'che jab Aap ﷺ ye farmate hai'n k Mai'n Allah ki Taraf se muallim bana kar bheja gaya hu'n, to Goya Aap ﷺ ilm ki virasat ko Sanad aitbaar aur Tehseel ilm ko insaani Ma'ashra ki Shaah Kaleed bana dete hai'n,*
*★_ Duniya ke Saare mazahib ka zor ibaadat, Riyazat, Mashaqqat, Vird v Wazaif per hai, magar Talimaate Nabvi ki Khususiyat ye hai k in Sabke Muqable me ilm ki fazilat aur Ahmiyat ko mehsoos karaya gaya hai, Aan Huzoor ﷺ ne farmaya k ibaadat guzaar per Aalim ki fazilat doosre Sitaaro per Chodhvi ke Chaand jesi hai _, (Abu Daoud v Tirmizi)*
*★_ Duniya ke Doosre Mazhabo ne ilm ko Mardo'n ki miraas bana kar pesh kiya hai kyunki unki Nazar me Aurat Kasbe Fazilat aur Kamal ki mustahiq nahi, magar Islam ne ilm ki Roshni ko Mard Aurat Har Ek ke Qabl v Zehan tak pahu'nchaya hai aur ilm Haasil karne me Mard v Aurat ki Takhsees ko Tasleem nahi kiya hai, Balki Mard v Aurat Dono per ilm Haasil karne ko Farz qaraar diya hai, Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - ilm Haasil karna Har Musalman Mard v Aurat per Farz hai _(ibne maaja Kitabul ilm)*
*★_ Ahade Nabvi ﷺ ke Taleemi Nizaam per Nazar daliye, Yaha'n Taleem ke Mukhtalif Tareeqe aur Waseele Akhtyar kiye gaye hai'n aur Mard v Aurat Dono ko Yaksa'n istefada ka moqa ata kiya gaya hai, Nabi Kareem ﷺ ne jo Tareeqe Apni Ummat ko Taleem dene ke liye Akhtyar farmaye Unme Tableeg v Tarseel ke nuqta Nazar se Aham ye hai'n:-*
*★_ Masjide Nabvi me Namazo ke baad Taleem v Talqeen, isme Mard v Aurat Sabhi Shareek hote they, Juma Eiden aur Hajj ke Khitaab ke Zariye Umoomi Taleem v Tehzeeb, isme bhi Sabhi Shareek hote they,*
*★_ Majlis Khusoosi jo Masjide Nabvi ya Doosre maqamaat per Mardo'n ke liye hoti thi, Azwaaj Mutaharaat ki ilmi Majlis jo khaas Aurto'n ke liye hoti thi,*
*"_ Jung aur Doosre Ese Safar jinme Mardo'n ke Saath Aurte'n bhi Shareek rehti, Waha'n bhi ilmi Taleem ka moqa milta tha, Roz marra ke Darpesh Masa'il jo bila Takallluf Nabi Kareem ﷺ ke Saamne pesh kiye jate they aur Nabi Kareem ﷺ unke Tafseeli aur Tashfi Bakhsh Jawabaat ata farmate they,*
*★_ Aurto'n ki Taleem ke liye Nabi ﷺ ki Khususi Majlise, ye Aurto'n ki Darkhwast per Khaas unke liye muqarrar ki jati, Nabi Kareem ﷺ ka Apni Azwaaj Mutaharaat ko khaas Taleem v Tarbiyat se Araasta farmana taki unse Doosri Khawateen Taleem v Tarbiyat haasil kar Sake,*
*"_ Bait ke moqe jinme Aap Aurto'n se Usoole Deen per Bait lete aur unko Buniyadi Ahkamaat se nawazte vagera,*
*★_Nabi Kareem ﷺ Ke Khutbaat aur Waaz ka Jo Asar Sahaba Kiraam Per Hota tha, Sahabiyaat usse Mehroom na rehti, Hazrat Abdullah ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Nabi Kareem ﷺ Eid ke moqe per Hazrat Bilaal Ke Saath nikle, Aapko ye khayal guzra k Aapka Khitaab Khawateen Achchhi Tarah na Sun Saki, Lihaza Aapne Az Sare No unko Khitaab kiya aur Unko Sadqa ka Hukm diya, Chuna'che Aurte'n Apne Pazeb aur Anguthiya'n Sadqa karne Lagi'n aur Bilaal Apne Kapdo me un Sadqaat Ko Sametne Lage _, ( Bukhari)*
*★_ Roz marra ke Pesh aane wale Masa'il me Aurte'n Apni Mushkilaat le kar Nabi Kareem ﷺ ke Paas jati aur Apne Sawalaat ka jawab Haasil karti, Aurto'n ke Baaz Sawalaat Ese bhi hote Jinme Barahe Raast Allah Ta'ala Apni Ayaat Naazil kar ke Rehnumayi farmate, Misaal ke Tor per Khaula bint Sa'alba Raziyallahu Anha ne Apne Shohar Aus ki Shikayat ki aur unke Jawab me Surah Al Mujadila ki ibtedayi Ayaat Naazil hui, Jinse muta'alqa masle me Hamare Musalmano ki Rehnumayi hui,*
*★_ Aurto'n Ke Baaz Sawalaat Taba'i Tor per unki Naswani Zaruriyaat aur Mushkilaat se mutalliq hote, Magar ilm ki farziyat ka Ahsaas unki Sharm v Haya per Haavi hota aur Wo Nabi Kareem ﷺ se Saare Sawalaat Karti'n,*
*★_ Chuna'che Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha bayan karti hai'n k Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ki Walida Umme Sulem Raziyallahu Anha Rasulullah ﷺ ke paas aayi'n aur Kehne Lagi'n, Ey Allah Ke Rasool ﷺ Allah Haq bayan karne me Haya nahi karta, To kya Aurat ko Agar Ahatlaam ho to us per Gusl karna Laazim hai ? Aap ﷺ ne farmaya, Haa'n Agar Wo Pani dekhe, To umme Salma ne Apna Chehra Dhaank liya aur Puchha Ey Allah Ke Rasool kya Aurat ko bhi Ahatlaam hota hai ? Aapne farmaya Haa'n Agar Esa na ho to usse Bachchhe ki mushab'hat kis Tarah hoti hai ? ( Bukhari)*
*★_Ahade Nabvi ki Aurte'n Bil Khusoos Ansari Khawateen Nabi ﷺ se Har qism ki baat puchhne me koi Aar mehsoos nahi karti thi'n, Ye Kamal tha Nabi Arbi ﷺ ka k Aapne Sharm v Haya aur Gairat ko ilm se wabasta kar diya tha, Goya ilm Haasil karna hi Aurto'n ka Zever qaraar pata, isi se Sharm v Haya ki Daulat Wabasta hui, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Ansar ki Aurto'n ki Tareef karti thi'n k Behatreen Aurte'n Ansar ki Aurte'n hai'n, Unke Liye Deen ka ilm Haasil karne me Haya Rukawat nahi banti _, (izaa)*
*★_ Khud Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha jab Rasoole Kareem ﷺ se koi baat Sunti to jab tak uski Jumla Tafseel na Samajh leti Khamosh na hoti'n, Sahi Ahadees me Hazrat Ayesha ke istagfaar ke bahut se Waqiaat mazkoor hai'n,*
*★_ Talimaate Nabvi ki Wo Majlise Jaha'n Aurte'n pichhle Hisse me mojood hoti'n, Fitri tor per Mardo'n ke galbe ki vajah se bahut si baato ki Tafseel Wazahat aur Tashreeh ki mohtaj rehti, Unki Khwahish hoti k Nabi ﷺ Mardo'n se Alag ho kar koi khaas Waqt hamare Liye muqarrar farmate jisme hum Aapse poore tor per itminaan se Deen ki Taleem Haasil Karte,*
*★_ Chuna'che ( Ba Rivayat Hazrat Abu Saeed Khudri) Aurto'n ne mil kar Nabi ﷺ se ye Darkhwast ki, Aapke paas Mard hum per sabqat le jate hai'n, isliye Aap Apni Taraf se Ek Din hamare liye muqarrar farma de'n, Chuna'che Aapne unse Alag Din ka Vaada farma liya, Aap us Din Aurto'n se mulaqaat karte, Unko Waaz v Nasihat karte aur unko Ahkaam ata farmate_, (Bukhari)*
*★_ Nabi Kareem ﷺ Azwaaj Mutaharaat ki Khusoosi Taleem v Tarbiyat farmate they, Qur'an Kareem ne Azwaaj Mutaharaat ki Khusoosi Taleem v Tarbiyat per zor diya, Allah Ta'ala ne unko Aam Aurto'n se Mumtaz qaraar dere hue farmaya k - "Aur Namaz qaa'im karo aur zakaat do aur Allah aur uske Rasool ki ita'at karo, Allah to ye Chahta hai k Tum Ahle Bait se gandgi ko Door kar de aur Tumhe Poori Tarah Paak kar de'n aur Yaad karo Allah ki Ayaat aur hikmat ki un baato ko jo tumhare gharo me Sunayi jati hai'n _,*
*★_ Nabi Kareem ﷺ Apni mamulaat aur Seerat ki ilmi Taleem ke alawa bhi Azwaaj Mutaharaat ke Tazkiye aur Tarbiyat ke liye Baaz Tareeqe Akhtyar farmate, Maslan kabhi kabhi Aap Raat ko Azwaaj Mutaharaat ko ye keh kar Jagate aur unko Raat ki ibaadat aur Fikre Aakhirat ki Taleem dete, Ek martaba Aapne Azwaaj Mutaharaat ko ye keh kar jagaya, Ey Hujre Waliyo'n utho ! Bahut si Khush Libaas Aurte'n Qayamat me barhana ho'ngi _, (Bukhari)*
*★_ Yani Jo Duniya me Ba Zaahir Libaas me hai'n magar imaan v Amal Saleha se khaali hai'n, Wo Aakhirat me Allah ke Gazab me ho'ngi, Ye Tarbiyat isliye bhi zaroori thi k Azwaaj Mutaharaat ko Doosri Aurto'n ke Liye Namoona aur Muallima banna tha, Muallim ko misaali aur ideal hona chahiye _,*
*★_ islam per qaa'im aur Allah ke Farman ke Mutabiq Zindgi guzarne ke liye Rasulullah Mard v Aurat Dono se Bait liya karte they, Aurto'n se Jin baato per Bait liya karte they wo Qur'an me is Tarah Mazkoor hai,*
*"_ Ey Nabi jab Aapke paas momin Aurte'n Bait karne ke Liye aaye'n aur is Baat ka Ahad kare'n k Wo Allah ke Saath kisi ko Shareek na karengi, Chori na karengi, Zina na Karengi, Apni Aulaad ko Qatl na karengi, Apne Saamne koi Bohtaan ghad kar na layengi aur Ma'aroof me Aapki Nafarmani na karengi, to unse Bait le lo aur unke liye Duae Magfirat karo, Beshak Allah Darguzar karne wala aur Raham karne Wala hai_,*
*★_ Mazkura Tareeqe wo They Jinme Khawateen ko Barahe Raast Nabi ﷺ se istefada aur ilm Haasil karne ka moqa milta, inke alawa Sahaba Kiraam ko ye hukm tha k wo Apni Biviyo'n, Betiyo'n aur Baa'ndiyo ki Taleem v Tarbiyat ka intezam kare'n, Unko Deeni Ahkaam se gaafil aur islami Taleem se Jaahil na rehne de'n,*
*★_ Aap ﷺ ne Ladkiyo'n ki Taleem per Khususi Tavajjo farmayi, Arab ke Ma'ashre me Ladkiyo'n ko Hiqarat se dekhna aur unse Bad Sulooki karna Aam tha, Aan Hazrat ﷺ ne is Soorate haal ko Tabdeel karne per bahut zor diya,*
*"_ Ba Rivayat Abu Saeed Khudri Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ ne farmaya - Jisne Teen Ladkiyo'n ki Parwarish ki unko Adab Sikhaya, un per Raham kiya aur unse Husne Sulook kiya to uske Liye Jannat hai _, (Musnad Ahmad)*
*★_ Qabile Zikr baat ye hai k Ladko'n ki Taleem v Tarbiyat aur unse Husne Sulook per bhi Yaksa'n Ajr hai, Magar Aapne Ladkiyo'n ki Taleem v Tarbiyat per Jannat ki Basharat Sunayi, Hikmat isme ye hai k Ek Ladke ki Taleem mahaz ek Fard ki Taleem hai aur Ek Ladki ki Taleem Ek fard ki nahi balki Ek Khandaan ki Taleem hai, Kyunki Bachcho ki Taleem v Tarbiyat Maa'n ki god se Judi hui hai, Maa'n Agar Jaahil ho to Bachche per iska bura Asar padta hai,*
*★_ is inqilabi Taleem v Tarbiyat ka ye Asar Zaahir hua k Aurte'n islami Ma'ashre ki Tameer v Tashkeel aur islami Uloom ki isha'at v Tarveej me barabar ka kirdaar Ada karne Lagi'n, islami Ma'ashra Tezi se Taraqqi ki Raah per Gaamzan hua aur Duniya ki ilmi imaamat jisse izzat v iqtidaar v Ahatmram Sabhi kuchh Wabasta hai Musalmano ke haath aa gayi,*
*★_ Aurto'n ka ilm v Faham is darja Qabile Rashk aur Moatbar ban gaya k wo Basa Awqaat Ulma, Umra, aur Khulfa ko mashwara se nawazti'n, Unki galtiyo ki islah karti'n aur unko Raahe Amal dikhati thi'n, Mushkilaat me unki madad karti'n aur unko ijtimayi zimmedariyo se Ohda bara hone me Apna Ta'awun pesh karti'n,*
*★_ Misaal ke Tor per Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu Apne mamool ke Mutabiq Ek Raat gasht laga rahe they k Ek ghar se kisi khatoon ki Awaaz Sunayi di, Wo Apne Shohar ki Judayi me Ash'aar padh rahi thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Suna to Apni Sahabzadi Zoja E Rasool Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha ke paas gaye aur puchha Ek Aurat Apne Shohar ki Judayi kitne dino bardasht kar Sakti hai, To unhone jawab diya 4 ya 6 maah, Tab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne faisla kiya k Mai'n kisi bhi lashkar ko isse zyada nahi rokunga _, (Tabqaat Al Shafi'a)*
*★_ Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Sahabzadi Zoja E Rasool Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se na Sirf Aam Sahaba Deen ki Taleem Haasil karte balki Wo Apni Samaji aur Siyasi mamlaat me bhi Sahaba Kiraam ki Rehnumayi farmati'n, Bahut se Jaleelul Qadr Sahaba ki ilmi Deeni aur Samaji islahaat bhi inhone ki, Bahut si galat fehmiya'n Jo ilmi Lihaaz se Nuqsandah thi'n unko Door karne ka Sehra Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Sar raha hai,*
*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki ilmi Deeni islahaat ka Tazkira Mukhtalif Hadees ki kitabo me likha aur bikhra hua hai, isse maloom hota hai k Taleem E Nabvi ne in Khawateen ko kis qadar ilm v Faham me mustahkam bana diya tha k jin Masa'il ki Haqeeqat tak Sahaba Kiraam na pahu'nch sake Waha'n Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Rehnumayi kaam aayi,*
*★_Hazrat Abu Moosa Asha'ari Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Hum Ashabe Muhammad ﷺ ko jab koi Hadees Mushkil maloom hoti to hum Hazrat Ayesha se puchhte aur unko iska ilm hota _, (Mota imaam Maalik Taleem- 954)*
*★_ isi Tarah Doosri Sahabiyaat ki Aqal v Faham aur isabat E Raay se Sahaba Kiraam ke istefada ka Tazkira milta hai, Azwaaj E Nabi ke alawa Shifa binte Abdullah Raziyallahu Anha Jinse Hazrat Umar Raziyallahu Anhu mashwara lete aur Umrah binte Fatima jinke Ghar Hazrat Umar ki Shahadat ke Waqt Khalifa ke intekhab ke liye Majlis E Shura bethi, khaas tor per Qabile Zikr hai'n,*
*★_ Garz k Ahade Nabvi ﷺ me Khawateen ki Taleem v Tarbiyat ka Nizaam Mardo'n se Kuchh kam na tha, na moqe Kam the aur na Taleem ka maiyaar v miqdaar me koi kami barti gayi, Us Zamane me Ba Qayda Madarse ka Rivaaj na tha, Agar Mardo'n ke liye koi Madarsa qaa'im kiya jata to Nabi E Rehmat Lazman Aurto'n ke liye alag Madarsa qaa'im karte, iska Saboot ye hai k Agar Suffa Masjide Nabvi me Mardo'n ki Darsgaah thi to Nabi E Arabi ka Ghar Aurto'n ki Darsgaah thi,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurat Ka Sar Ke Baalo ko Kohaan numa banana:-*
*★_ Aurat ke Liye Baalo ko jama Kar ke Sar ke Ouper Juda Baandhna Jaa'iz nahi hai, Hadees Mubarak me is per Waeed Waarid hui hai k Esi Aurat ko Jannat ki khushbu bhi Naseeb nahi hogi, Taaham Agar kisi ne is Tarah Juda banaya aur Namaz ki haalat me Wo Baal Dhake hue they to Namaz ka fazr Ada ho jayega aur Agar Chothayi hisse se zyada Baal khule hue ho'n to Namaz hi nahi hogi,*
*★_ Chuna'che Mishkaat Shareef me hai k Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Rasulullah ﷺ ne farmaya _ Dozakhiyo ke Do giroh ese hai'n Jinhe Maine nahi dekha ( aur na Mai'n dekhunga ) Ek Giroh to un Logo'n ka hai Jinke Haatho me Gaay ki Maanind Kode Honge Jisse Wo ( Logo'n Ko Naahaq ) maarenge aur Doosra Giroh Un Aurto'n ka hai Jo Ba Zaahir kapde pehne hue hongi magar Haqeeqat me Nangi ho'ngi, Wo Mardo'n ko Apni Taraf Maa'il karengi aur khud Mardo'n ki Taraf Maa'il ho'ngi, Unke Sar Bakhti Ou'nt ki Kohaan ki tarah milte honge, Esi Aurte'n na to Jannat me dakhil ho'ngi aur na Jannat ki Bu payengi Hala'nki Jannat ki Bu itni itni ( yani Maslan 100 baras ) Doori se aati hai _, (Muslim)*
*★_ is Hadees ki Tashreeh me Sahibe Mazahir Haq likhte hai'n k Unke Sar Bakhti Ou'nt ke Kohaan ki tarah milte honge se muraad wo Aurte'n hai'n Jo Apni Chotiyo ko Joode ki Soorat me Sar per baandh leti hai'n,*
*★_ is Hadees me Aurto'n ke Jis Khaas Tabqe ki Nishandahi ki gayi hai Uska Vajood Aan Hazrat ﷺ ke Mubarak Zamane me nahi tha, Balki ye Aapka Mojaza hai k Aap ﷺ ne aane Wale Zamane me is qism ke Aurto'n ki paida hone ki khabar di_,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Konsi Aurat Achchhi hai ?*
*★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasoole Akram ﷺ se puchha gaya k Konsi Aurat behtar hai ? Aap ﷺ ne farmaya - Wo Aurat jab Khawind uski taraf Nazar uthaye to Khawind ko khush kar de, Jab Wo koi hukm de to uska Hukm Baja laye, Apni zaat aur Khawind ke maal me Khawind ki marzi ke khilaaf Esa kaam na kare jo uske Khawind ko Napasand ho _, (Bukhari)*
*★_ Hazrat Zenab Raziyallahu Anha bayan farmati hai'n k Mai'n Nabi Kareem ﷺ ki Ahliya Mohatrama Hazrat Umme Habiba Raziyallahu Anha ke paas us Waqt gayi jab unke Waalid Hazrat Abu Sufiyan bin Harb ka inteqal hua tha, Hazrat Umme Habiba ne khushbu mangwayi Jisme Khulooq ya kisi aur cheez ki milawat ki vajah se zardi thi, Usme se kuchh Khushbu Baa'ndi ko lagayi Fir use Apne Rukhsaro per mal liya,*
*★_ iske baad farmaya - Allah ki Qasam ! Mujhe khushbu ke istemal karne ki koi zarurat na thi, Baat Sirf ye hai k maine Rasulullah ﷺ se suna hai k jo Aurat Allah Ta'ala aur Aakhirat ke din per imaan rakhti ho uske Liye Jaa'iz nahi hai k wo Teen Din se zyada kisi ka Sog manaye Sivaye Shohar ke ( k uska Sog ) chaar Mahine Das Din hai _, (Bukhari)*
*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai farmati hai'n k maine arz kiya- Ya Rasulallah! Aurat per Sabse Zyada Haq kiska hai ? Aap ﷺ ne irshad farmaya - uske Shohar ka hai, Maine dariyaft kiya k Mard per Sabse Zyada Haq kiska hai ? Aap ﷺ ne irshad farmaya - uski Maa'n ka hai _, (Mustadrak Haakim)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Aap ﷺ ne Aurto'n ki Kotahiyo Se Darguzar Ka Hukm diya:-*
*★_ Na Sirf ye k Nabi Kareem ﷺ ne Aurat ke Saath Behatreen Sulook aur Bartaav ka Hukm diya, balki uski Kamzori aur khaas Mizaaji kaifiyat ki vajah se paida hone wali Takaleef ko Darguzar ki bhi Takeed farmayi,*
*★_ Isko Allah Ta'ala ne Yu'n farmaya -( Tarjuma Surah Nisaa- 19) Aur Un Aurto'n ke Saath Husn v Khoobi se guzar Basar karo aur Agar Tumko wo Napasand ho to Mumkin hai k Tum Ek Cheez Napasand karo aur Allah Ta'ala uske Andar Badi manfa'at ( Fayda) rakh de _,*
*★_ isko Ek Rivayat me Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - Koi Musalman Mard Kisi Musalman Aurat ko isliye mabgooz (bugz) na rakhe k uski koi Aadat Nagawar Khatir hai, isliye k Agar Ek Aadat Napasand hai to Mumkin hai koi Doosri Aadat pasand aa jaye _, (Muslim - 1469)*
*★_ in Rivayaat se pata chalta hai k Allah ke Nabi ﷺ ne Aurat ke Saath Khususiyat se Raham v Karam ka mamla farmaya, uski Sanafi Nazakat ko Malhooz rakh kar uske Saath Raham v Karam karne ka Hukm diya, Us per Bojh aur Mashakkat daalne se mana farmaya, us per beja Sakhti se roka, Usko Zillat se nikaal kar izzat v Waqaar ka Taaj pehnaya, Maa'n, Bahu, Saas, Bivi vagera ki Shakl me uske Huqooq inayat kiye, Uski Tazeem v ikraam ka hukm kiya, Uski Parwarish aur uski Nigrani aur dekh bhaal ko Jannat ka Wasila aur zariya farmaya, Ye Sanafe Nazuk ke Saath Nabi Kareem ﷺ ka Tarze Amal tha,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aap ﷺ ne Ladkiyo'n ki Taleem v Tarbiyat per khaas Tavajjo farmayi aur Fazilat bayan farmayi:-*
*★_ Aap ﷺ ka ye Raham v Karam na Sirf Azwaaj Ke Saath makhsoos tha Balki poori Sanfe Nazuk ke Saath Aap ﷺ ne Behatreen bartaav ka Hukm kiya, islam se Pehle Arab me Ladkiyo'n ko Zinda Dargor karne ka Rivaaj tha, Ladki ki Paida'ish ko Baaise Tang v Aar Samjha jata, Jesa k Qur'an Majeed ne khud iski Manzar Kashi ki hai,*
*"_(Surah Nahal-58) Jab unme se kisi ko ladki ki khush Khabri di jati hai to uska Chehra Syaah pad jata hai aur Wo Gusse se bhar jata, Logo'n se Chhipta Firta hai is Burayi ki khush Khabri ke Sabab se Jo use di gayi _,*
*★_ Aap ﷺ ne na Sirf Aurat ko Jeene ka Haq diya aur Usko Ma'ashre me Buland muqam ata kiya, Balki Aurat ke Wajood ko Khair v Barkat ka Baa'is aur Nuzoole Rehmat ka zariya aur uski Nigehdasht aur Parwarish ko Jannat me dakhile ka Zariya bataya,*
*★_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya - Jis Musalman ki Do Betiya'n ho'n, Fir jab tak wo uske paas rahi ya unke paas rahe aur wo unke Saath Achchha Bartaav kare to wo dono Betiya'n usko zaroor Jannat me dakhil Kara dengi _, ( ibne hibaan)*
*★_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya - Jis Shakhs ne Do Ladkiyo'n ki Parwarish aur dekh bhaal ki wo Shakhs aur Mai'n Jannat me is tarah ikatthe dakhil ho'nge Jese ye do ungliya'n, ye irshad farma kar Aap ﷺ ne Apni dono Ungliyo'n se ishara farmaya _, (Tirmizi -1914)*
*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat karti hai'n k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya - Jis Shakhs ne un Betiyo'n ke kisi maamle ki zimmedari li aur unke Saath Achchha Sulook kiya to ye Betiya'n uske Liye Dozakh ki
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aap ﷺ ne Ladkiyo'n ki Taleem v Tarbiyat per khaas Tavajjo farmayi aur Fazilat bayan farmayi:-*
*★_ Aap ﷺ ka ye Raham v Karam na Sirf Azwaaj Ke Saath makhsoos tha Balki poori Sanfe Nazuk ke Saath Aap ﷺ ne Behatreen bartaav ka Hukm kiya, islam se Pehle Arab me Ladkiyo'n ko Zinda Dargor karne ka Rivaaj tha, Ladki ki Paida'ish ko Baaise Tang v Aar Samjha jata, Jesa k Qur'an Majeed ne khud iski Manzar Kashi ki hai,*
*"_(Surah Nahal-58) Jab unme se kisi ko ladki ki khush Khabri di jati hai to uska Chehra Syaah pad jata hai aur Wo Gusse se bhar jata, Logo'n se Chhipta Firta hai is Burayi ki khush Khabri ke Sabab se Jo use di gayi _,*
*★_ Aap ﷺ ne na Sirf Aurat ko Jeene ka Haq diya aur Usko Ma'ashre me Buland muqam ata kiya, Balki Aurat ke Wajood ko Khair v Barkat ka Baa'is aur Nuzoole Rehmat ka zariya aur uski Nigehdasht aur Parwarish ko Jannat me dakhile ka Zariya bataya,*
*★_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya - Jis Musalman ki Do Betiya'n ho'n, Fir jab tak wo uske paas rahi ya unke paas rahe aur wo unke Saath Achchha Bartaav kare to wo dono Betiya'n usko zaroor Jannat me dakhil Kara dengi _, ( ibne hibaan)*
*★_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya - Jis Shakhs ne Do Ladkiyo'n ki Parwarish aur dekh bhaal ki wo Shakhs aur Mai'n Jannat me is tarah ikatthe dakhil ho'nge Jese ye do ungliya'n, ye irshad farma kar Aap ﷺ ne Apni dono Ungliyo'n se ishara farmaya _, (Tirmizi -1914)*
*★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat karti hai'n k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya - Jis Shakhs ne un Betiyo'n ke kisi maamle ki zimmedari li aur unke Saath Achchha Sulook kiya to ye Betiya'n uske Liye Dozakh ki Aag se Bachav ka Samaan ban jayengi _, (Bukhari -5995)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Qur'an Paak me Aurto'n ki islaah per bhi zor diya gaya hai:-*
*★_ Jis Tarah Naan Nafqa ke Zariye se Bivi aur Aulaad aur Mutalliqeen ki jismani Tarbiyat zaroori hai usi Tarah Uloom aur islaah ke Tareeqo se unki Roohani Tarbiyat isse zyada zaroori hai, isme bhi qism qism ki Kotahiya'n ki jati hai, Bahut se Log isko zaroori hi nahi Samajhte yani Apne Ghar Walo ko na kabhi Deen ki baat batate hai'n na kisi bure kaam per unko Rok Tok karte hai'n, Bas unka Haq Sirf itna Samajhte hai'n k unko Zaruriyaat ke Mutabiq kharch de diya aur Subukdosh ho gaye,*
*★_ Hala'nki Qur'an Majeed me irshad hai - Ey imaan Walo Apne Ghar Walo ko Dozakh ki Aag se Bachao_,*
*"_ iski Tafseer me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya k Apne Ghar Walo ko Bhalayi yani Deen ki baate Sikhaao _, (Haakim)*
*★_ Is Hadees se maloom hua k Apni Bivi Bachcho ko Deen ki baate Sikhana Farz hai varna Anjaam Dozakh hoga, aur Hadees Sahih me Huzoor Aqdas ﷺ ka irshad hai - Tumme se har Ek Nigehban hai Qayamat ke Roz har ek se uske Maat'hato ke bare me Sawal kiya jayega _,*
*®_( islahi inqilab, Hayatul Muslimeen)*
*★_ Ek Hadees ka Mafhoom hai k Ghar Walo ko Allah se darate raho aur Tambeeh ke waaste unse Dande ko khatm na Karo _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurte'n Apne Akhlaaq ki islaah Zaroor Kare'n:-*
*★_ Hamari Aurto'n ke Akhlaaq Nihayat Kharab hai'n, Unko Apni islaah karana Nihayat zaroori hai aur Yaad rakho bager Akhlaaq ke Durust hue ibaadat aur Wazifa kuchh kaar Aamad nahi,*
*★_ Hadees me hai k Janab Rasulullah ﷺ se arz kiya gaya k Ya Rasulallah ﷺ falani Aurat bahut ibaadat karti hai, Raato ko jaagti hai lekin Apne Padosiyo ko Satati hai, farmaya k Wo Dozakh me jayegi, aur Ek Doosri Aurat ki Nisbat arz kiya gaya k Wo zyada ibaadat nahi karti magar Padosiyo se Husne Sulook karti hai, farmaya k wo Jannat me jayegi_,*
*★_ magar Hamari Aurto'n ka Sarmaya Buzurgi Aaj kal Tasbeeh aur Wazifa padhna reh gaya, Akhlaaq ki taraf bilkul Tavajjo nahi, Hala'nki Agar Deen ka Ek Juz bhi kam hoga to Deen Naaqis hoga,*
*®_( islahi inqilab 194)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurto'n ki islaah v Tarbiyat kyu Zaruri hai?*
*★_Aulaad Ki islaah Ke Liye Aurto'n ki Taleem ka Ahatmam Nihayat zaroori hai kyunki Aurto'n ki islaah na hone ka Asar Mardo'n per bhi padta hai Kyunki Bachche Aksar Maao'n ki god me palte hai'n aur Un per Maao'n ke Akhlaaq v Aadaat ka bada Asar hota hai Hattaki Hikma ka Qaul hai k Jis Umr me Agarche Bachcha baat na kar sake magar uske Dimaag me har baat har Fail munqash ho jata hai, isliye uske Saamne koi baat beja aur Na Zeba na karni chahiye,*
*★_ Balki Baaz Hikma ne ye likha hai k Bachcha jis waqt Maa'n Ke Pet me hota hai us Waqt bhi Maa'n ke Af'aal ka Asar us per padta hai, isliye Ladkiyo ki Taleem v islaah zyada zaroori hai,*
*★_ Baaz Log Taleem ko to Sabke liye zaroori Samajhte hai'n magar Tarbiyat ko Sabke liye zaroori nahi Samajhte, Hala'nki Tarbiyat ki zarurat Taleem se bhi Aham hai, Taleem se maqsood hi Tarbiyat hoti hai, isko Nazar Andaz karne ki aur zaroori na samajhne ki to kisi haal me Gunza'ish nahi,*
*★_ Zojain (Miya'n Bivi ) ka Talluq Esa hota hai k har Waqt ka Saabqa rehta hai aur Mard Apni Maslihato ki vajah se Usko chhodna pasand nahi karta aur na Aurto'n ki Jahalat ko bardasht karta hai to Yaha'n hamesha ke liye Ladayi jhagde ki Buniyad qaa'im ho jati hai Jiske Natije dono ke Haq me bure hote hai'n aur dono ki zindgi maut se bhi talkh (be maza) ho jati hai,*
*★_ Aur in Sabka Sabab Wohi Shuru me islaah ki Taraf Tavajjo na karna hai, Lekin Agar esa ittefaq ho gaya to ye nahi k unko chhod diya jaye balki jab bhi moqa ho tab hi iski koshish karna zaroori hai, Khulasa ye hai k Maa'n Baap ya Parwarish karne walo ke Zimme Bachcho ki Taleem v Tarbiyat zaroori hai aur Shohar ke Zimme Bivi ki_,*
*®_( islahe inqilab -2/201)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurat Qana'at nahi rakhti isliye Pareshan Rehti hai:-*
*★_ Aksar Aurto'n ki Gaflat se Shikayat hoti hai k Afsos unko Duniya ki Takmeel ka khayal hai Deen ki Takmeel ka qat'an khayal nahi, Mera maqsad ye hai k Aurto'n Ko Deen ki Takmeel se bhi gaafil na hona chahiye Jesa k unko Apne Zever Kapde aur Makaan ki Zarurato ki Takmeel se kisi waqt bhi Gaflat nahi hoti aur Waqtan fa Waqtan Mardo'n se uske Mutalliq farma'ish karti rehti hai'n aur Agar Mard kisi waqt kisi Farma'ish ko Gair Zaroori batlate hai'n, Bartano aur Makaan ki Zarurato ke mutalliq to ikhtilaf hone lagta hai,*
*★_ Mard Yu'n kehte hai'n k in cheezo ki zarurat nahi aur Aurto'n ke Nazdeek unki Zarurat ho to ese moqe per Aurte'n keh diya karte hai'n k Tumko in cheezo ki kya khabar Tumko thodi Ghar me har Waqt rehna hai, isko to hum hi zyada jaante hai'n, aur Baaz Aurto'n ka to ye kehna Sahi bhi hota hai kyunki Waqai Mardo'n ko un cheezo ka poori tarah ilm nahi hota,*
*★_ Aur Baaz Awqaat is ikhtilaf ka sabab ye hota hai k Mardo'n me Qana'at ka madda Aurto'n se zyada hai, Mard thode se Samaan me bhi guzar kar leta hai aur Aurto'n me Qana'at ka madda hai hi nahi, unki Tabiyat me bakheda bahut hai, Unse thode Samaan me guzar hota hi nahi jab tak saara Ghar Samaan se bhara bhara Nazar na aaye,*
*★_ Mere Arz karne ka matlab ye hai k Duniya ki Takmeel ka to is qadar khayal hai k thode per Qana'at nahi hoti, Mardo'n se ikhtilaf hone lagta hai, Deen ki Takmeel ka is qadar khayal kyu nahi, isme kyu thode per Qana'at kar li jati hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurto'n ki islaah ki Zimmedari Mardo'n per hai:-*
*★_ Mard Apni Biviyo'n ki to Shikayate karte hai'n k Esi Bad Tameez aur Esi Jaahil hai magar Wo Apne Gireban me Moo'nh daal kar to dekhe'n k Unhone Unke Saath kya Bartaav kiya, Aurto'n ki to khata hai hi Magar unki Be Tameezi me Mardo'n ki bhi khata hai k Ye Unke Deen ki Durusti ka Ahatmam nahi karte aur unke Deeni Huqooq ko Zaaya karte hai'n,*
*★_ Hum Biviyo'n ki Shikayat to karte hai'n magar ye nahi dekhte k Humne Biviyo'n ka konsa Haq ada kiya hai, Chuna'che unka Ek Haq ye tha k Unke Deen ka Khayal karte, Unko Ahkaam E ilaahi batate, Doosra Haq ye tha k Ma'ashrat me unke Saath Dostana Bartaav karte, Baa'ndiyo aur Nokro'n ka Sa Bartaav na karte, magar Humne Sab Huqooq Zaaya kar diye,*
*★_ Afsos hum Duniyavi Huqooq to ada kiya karte hai'n, Deeni Huqooq per hi humko Tavajjo nahi, Chuna'che na Bivi ki Namaz per Tavajjo hai na Roze per, in baato ko unke Kaano me daalte hi nahi, Yaad rakho Qayamat me Tumse Baaz purs hogi k Tumne Bivi Bachcho ko Deendar banane ki kitni Koshish ki thi,*
*★_ Aurto'n ko bhi Deendar banao varna Muttaqi ho kar bhi tum unhi ke Saath Jahannam me daal diye jaoge, Aurto'n ko Deendar banana aur unki islaah karna Mardo'n ke Zimme hai, Agar Wo isme Kotaahi karenge to unse bhi Muwakhza hoga, Kyunki Haq Ta'ala ka Hukm hai - Ey Musalmano Apni Jaano ko bhi jahannam se bachao aur Apne Ghar Walo ko bhi _,*
*★_ Muttaqi ban jana Qayamat me Azaab se nijaat ke liye kaafi na hoga, Agar koi Mard khud Muttaqi ban jaye aur Apne Ghar Walo ke Deen ki khabar na le to khuda Ta'ala uski Aurto'n ke Saath unko bhi jahannam me bhej denge, Tanha uska Muttaqi ban jana Qayamat me Azaab se nijaat ke liye kaafi na hoga,*
*★_ Ghar Walo ko Dozakh se bachane ka matalab yahi hai k unko Tambeeh karo, Baaz log batla to dete hai'n magar Dheel chhod dete hai'n, kehte hai'n k Das Dafa to keh diya na maane to hum kya kare, Sach to ye hai k Mardo'n ne bhi Deen ki zarurat ko zarurat nahi Samjha, Khana zaroori, Fashion zaroori, Magar Gair Zaroori samjha hai to Deen ko _,*
*®_ (islahi inqilab -2/202)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Zakaat ke Mutalliq Aurto'n ki Galti aur Us per Allah ki Narazgi:-*
*★_ Jis Aurat Ke Paas Maal ho aur Wo Uski Zakaat na Nikalti ho to Allah Ta'ala ke Nazdeek wo Badi Gunahgaar hai, Qayamat Ke Din Us Per bada Sakht Azaab hoga,*
*★_ Hazrat Asma Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Mai'n aur meri Khala Nabi Kareem ﷺ ki Khidmat me is Haalat me haazir hue k Hum Sone ke Kangan pehne hue they, Aapne humse puchha kya tum inki zakaat deti ho ? Humne Arz kiya Nahi, Aapne farmaya - kya tumko isse dar nahi lagta k Tumko Allah Ta'ala Aag ke Kangan Pehnaye? Iski Zakaat ada kiya karo _, ( Bahishti Zever-322, Haiwatul Muslimeen)*
*★_ Aur Nabi ﷺ ne Farmaya k Jisko Allah ne maal diya aur usne Zakaat na ada ki to Qayamat Ke Din Uska Maal Ek bade Zehrile ganje Saa'np ki Shakl ka bana diya jayega aur uske gale me Toq ki Tarah daal diya jayega, Wo uski Gardan me lipat jayega Fir uske dono jabde nochega aur kahega Mai'n hi Tera maal hu'n aur Mai'n hi Tera Khazana hu'n _, ( Sahih Bukhari)*
*★_ Khuda ki Panah bhala itne Azaab ko kon bardasht kar Sakta hai, Thode se Lalach ke badle ye Musibat bhugatna badi Bewaqoofi ki baat hai, khuda hi ki di hui Daulat ko khuda ki Raah me na dena kitni beja baat hai _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ey Aurto'n ! Zever Ki Zakaat Tum per Farz hai:-*
*★_ Zakaat me Aurte'n bahut Susti karti hai'n k Apne Zevero ki Zakaat nahi deti, Yaad Rakho! Jitna Zever Aurat ko Jahez me milta hai Wo Uski Milkiyat hai Uski Zakaat dena us per Waajib hai aur Jo Zever Shohar ke Ghar se milta hai Agar Wo usne Uski Milk kar diya hai to uski Zakaat bhi us per Waajib hai aur Agar Milk nahi kiya ( yani usko Maalik nahi banaya balki mahaz pehanne ke waaste diya hai ) To Uski Zakaat Mardo'n ke Zimme Waajib hai, Har Saal Apne Zever ka Hisaab kar ke Jitni Zakaat Apne Zimme ho Foran Ada kar dena chahiye, isme Susti karne se Gunaah hota hai,*
*★_ Dekho Allah Ta'ala ne bahut se Gareebo ko maal nahi diya Hala'nki Aksar Gurba kamalaat me tumse badhe hue hai'n k Wo Namazi bhi hai'n Deendaar bhi hai'n, Fir bhi Jo unko Khuda ne maal nahi diya aur Tumko diya hai to iski kya vajah hai ? Khuda ne Ameero ( Maldaaro ) ko isi Waaste maal diya hai k Wo Gareebo ko diya kare'n, Kyunki Har Shakhs utne hi maal ka Haqdaar hai Jitne ki usko Zarurat hai,*
*★_ Fir Jisko khuda ne Haajat se zyada maal diya hai wo Jama karne ke Waaste nahi hai balki un Logo'n ko dene ke Waaste hai Jinko Baqadre Haajat bhi nahi mila, aur isme Allah Ta'ala ki bahut si Hikmate hai'n k Wo Gareebo ko Ameero ke Haath se dilwana chahte hai'n, is qayde ka to ye muqtaza tha k Ameero ko ye hukm diya jata k jitna maal unki Zarurat se zyada ho sab Gareebo ko de diya kare'n,*
*★_ Kyunki Aqalan wo unhi ka Haq hai Lekin ye Khuda ki Kitni badi Rehmat hai k usne Saara Maal Dene ka Hukm nahi kiya balki Sirf Chaleesva hissa Waajib kiya, Fir isme bhi Kotaahi karna bada Zulm hai _,*
*®_ ( Al kamaal Fid Deen-107)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Zakaat Tumhe Deeni v Duniyavi Pareshaniyo Se Nijaat mil Sakti hai :-*
*★_ Musalmano ki Zyadatar Zahiri v Batini pareshani ka Sabab Tangdasti hai aur Zakaat iska ilaaj hai, Agar Maaldaar Fizool Kharchi na kare aur Bate Kate log mehnat mazdoori karte rahe aur Mazdoor Logo'n ki Zakaat se imdaad hoti rahe to Musalmano me ek bhi nanga bhooka na rahe, Sabse Zyada Zakaat ke Haqdaar Apne Gareeb Rishtedar hai'n Chahe Wo Basti me ho ya Doosri jagah, unke baad Apni Basti ke Log Zyada Gareeb ho'n to fir unhi ka Haq zyada hai,*
*★_ Afsos ki Baat hai k Aksar Aurto'n ki Aadat Zakaat na dene ki ho chuki hai, Aksar Aurte'n Zakaat nahi deti kyunki Rupiya Kharch hoga, Baaz dafa Zever ki Zakaat na Mard deta hai na Aurat, Mard kehta hai k Zever Aurat ka hai aur Aurat Keht dei hai k Zever mard ka hai Mai'n kyu Zakaat du'n, Jiska Maal hai khud de, Magar is bahane se khuda ke Yaha'n se nahi chhot sakte Aakhir dono me kisi ka To hai hi, Bas Uske Zimme Zakaat hai,*
*★_ Aur Agar Dono ka hai to har Ek Apne Apne Hisse ki Zakaat ada kare, aur Agar Waqai na uska hai na iska to fir ye maal khuda ka hai, isko Waqf ke masarif me kisi masjid me ya madarse me laga dena chahiye Ya Gareebo ko Baa'nt dena chahiye _,*
*®_( Haiwatul Muslimeen -215)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ey Aurto'n Apne in Aibo ko Khatm Kar lo Taki Deendaar ban jao :-*
*★_ Zyada Afsos to is baat ka hai k Humko ye bhi maloom nahi k Hamare Andar kuchh Amraaz bhi hai'n ya nahi, Gor Karne se maloom hota hai k Aksar Logo'n me Do Marz Ba Kasrar paye jate Hai'n Ek Maal ki Muhabbat aur izzat aur bada banne ka Shoq, go dono ka rang Mardo'n aur Aurto'n me Mukhtalif hai, Mardo'n me Hubbe Jaah is Rang se hai k Apne ko bada Samajhte hai'n aur Aurte'n Apne ko bada to nahi Samajhti magar Apne ko bada Zaahir karna chahti hai'n, Esi baate aur Ese Tareeqe Akhtyar karti hai'n k Jinse unka Bada hona doosro per Zaahir ho,*
*★_ isi Tarah Maal ki Muhabbat ke Rang me bhi dono Mukhtalif hai'n, Mardo'n ko Rupiyo se Zyada Muhabbat hai aur kisi cheez se itni nahi, is Waaste uske Jodne aur jama Karne ke pichhe pade rehte hai'n aur Aurto'n ko Zever aur Kapde aur bartan vagera gharelu samaan se Muhabbat zyada hoti hai k Rang birang ke kapde, qism qism ke bartan, Mukhtalif qism ke Zever ho'n,*
*★_ Mard to Kapdo me pevand tak laga lete hai'n magar Aurte'n hai'n k unko Naye Kapdo bhare Sandooq bhi kaafi nahi hote, chahti hai'n k Kapdo se ghar bhar le'n, Aurat Gareeb ki bhi hogi to Apne ko esa banayegi k Goya bilkul Ameer ki ladki ya kisi bade Aadmi ki Bivi hai, Aur ye Sab Sazo Samaan aur Sajawat Shohar ke liye nahi balki Doosro ko dikhane ki Garz se hota hai,*
*★_ Hala'nki Aapas me Khandaan walo ko Ek Doosre ka Haal maloom hi hota hai k iski itni Haisiyat hai aur iski itni, Fir dikhane se kya Fayda, Hala'nki ye Mahaz NaSamjhi ki baat hai, Ye mana k Aurto'n ke Liye zeenat munasib hai magar usme aitdaal ( had ) se aage to na ho,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Hirs Ka Marz Saare Gunaho Ki Jad hai :-*
*★_ Hirs Tamaam Bimariyo'n ki jad hai aur Ye Marz Aurto'n me Zyada hota hai aur ye Esa Marz hai k isko Ummul Amraaz ( Tamam Gunaho ki Jad ) kehna chahiye kyunki iski Vajah se jhagde Fasaad hote hai'n, isi vajah se muqadma baziya'n hoti hai'n, Agar Logo'n me maal ki Hirs na ho to koi kisi ka Haq na dabaye, Fir in fasadaat ki bhi nobat na aaye, Badkari aur Chori Vagera ka Sabab bhi Hirs hi hai,*
*★_ Aarifeen ka Qaul hai k Tamaam Akhlaq Razila ki jad Takabbur hai aur Takabbur ka Sabab bhi Ek darja me Hirs hai, Balki Yu'n kehna chahiye k Wo bhi Hirs ka ek Fard hai, Na ittefaqi ka Sabab bhi Hirs hai aur Fakhr karne ka Sabab bhi yahi Hirs hai Kyunki maal v Daulat ka dikhana maal jama karne ke baad hi ho sakta hai aur maal jama hota hai Hirs se, To Hirs ka Ummul Amraaz aur Tamam Gunaho ki Buniyad hona Saabit ho gaya,*
*★_ Hadees Paak me Aaya hai, Duniya ki muhabbat Tamam Gunaho ki Buniyad hai, Duniya ki muhabbat hi ka naam to Hirs hai aur Aurto'n me ye Marz Mardo'n se zyada hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Jab Chaar Aurte'n jama ho jaye'n to Subeh se Shaam tak Duniya ka Tazkira hoga Lihaza Gunaah bhi ho hi jayega:_,*
*★_ Aurte'n gor kar Sakti hai'n k unki Majliso me se kitni Majlise esi hai'n Jinme Deen ka zikr hota ho aur go Duniya ka zyada Tazkira karna bhi mubah hai Jabki Gunaah ki koi baat ( Geebat chugli vagera ) na ki jaye, Magar is mubah ki Sarhad Gunaah se mili hui hai, Jo Shakhs Duniya ke Tazkire ka mashgala zyada rakhega wo Zaroor Gunaho me mubtila hoga,*
*★_ Buzurgo ka bhi yahi irshad hai aur Tajurba bhi yahi batlata hai, isliye Musalman ko chahiye k Zyada ita'at me mashgool rahe, Mubahaat me bhi zyada inhimaak na kare, isliye Duniya ka zyada Tazkira karna k Saari Majlis me Awwal se Aakhir tak yahi zikr ho Ye Gunaah ka zariya hai zaroor hai, iska mansha wohi Duniya ki muhabbat hai jo Sab Aurto'n per amuman Gaalib hai,*
*★_ isliye Aurte'n bahut kam Deendaar hoti hai'n aur jin Baaz Maqamaat ki Aurto'n me Deendari hai wo sirf isi vajah se hai k unme Duniya ki muhabbat kam hai _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Aurto'n me Shekhi Ka Marz aur Uska ilaaj:-*
*★_ Shekhi ka Marz bhi Aurto'n me bahut hai, Shekhi Mazmoom aur Mamnu hai aur ye Zamima Yani Shekhi bagharne ki Buri aadat Aurto'n ki goya fitrat me dakhil hai, Uthne me bethne me bolne me chalne me, Zever me to esa isko Apnaya hai k iski buniyad hi is per hai,*
*★_ Shekhi aur Takabbur v Riyakari se bachne ki umda Tadbeer Mai'ne Mardo'n ko Sikhlayi hai go Aurte'n isse bahut khafa hoti hai'n magar wo Shekhi ka ilaaj hai ( Badi aur Samajhdar Aurto'n ko chahiye k iska Rivaaj daale ) Wo Tarkeeb ye hai k Aurto'n se ye to mat kaho k Aapas me jama na ho'n Ye to hona mushkil hai aur isme wo Mazoor bhi hai'n, isme To Sakhti na Karo magar ye karo k kahi'n jate waqt Kapde na badalne diya karo, iske liye mardana Hukumat se kaam lo aur Jab Kahi'n jaye'n to Sar per Khade ho kar Majboor karo k Kapde na badane paye'n,*
*★_ Ye Ajeeb baat hai k Ghar me to Nokraniyo ki tarah rahe'n aur bahar nikalna ho to ban Sanwar kar Begam Sahiba ban jaye'n, Har Cheez ki koi Garz aur Gayat hoti hai, koi inse puchhe k Achchhe Kapde pehanne ki Garz kya sirf gairo ( aur doosro ) ko dikhana hai, Tajjub hai k Jiske Waaste ye kapde bane aur jiske Daam lage uske Saamne to kabhi na pehne jaye'n aur Gairo ke Saamne pehne jaye'n,*
*★_ Aur Aurte'n bhi Sun le'n k Agar Kapde bilkul hi mele hai'n to khair badal lo wo bhi saade varna Hargiz na badlo, Seedhe Saade kapdo me mil aaya karo, Milne se jo Garz hai wo is Soorat me bhi haasil hogi aur Akhlaaq ki durustgi ke Alawa zara kar ke dekho to iske Fayde maloom ho'nge, aur ye khayal ho k isme hamari Hikqarat hogi to Ek jawab to iska ye hai k Nafs ki to Hiqarat honi hi chahiye,*
*★_ Aur doosra Tasalli Bakhsh jawab ye hai k jab Ek Basti me ye Rivaaj ho jayega k Seedhi Saadi Tarah se mil liya kare'n to Ungli uthana aur Tehqeer bhi band ho jayegi,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Aurto'n ke Takabbur aur Hubbe Duniya Ka ilaaj :-*
*★_ (1) Aurto'n Ko Chahiye k Umda Kapda Pehan kar kahi'n na jaye'n, Jaha'n jaye'n unhi'n kapdo me chali jaye'n Jo pehle se pehne hue ho'n, is Tarah karne se Takabbur toot jayega, Magar unki haalat ye hai k Jaha'n jaye'ngi Lad bhad kar jaye'ngi taki Shaan Zaahir ho,*
*★_ (2) Aurto'n me Hubbe Duniya ( Zever vagera) ka galba zyada hai, iska ilaaj ye hai k (Zever Libaas) Shohar ke Saamne to ( Ghar me ) khoob pehna kare'n, Magar unki haalat ye hai k Biradri me jaye'ngi to khoob ban than kar aur jab aayengi to Foran utaar dengi taki jis Haal me Khawind ne dekha tha usme dekhe, iska ilaaj ye hai k Khawind ke Saamne pehne aur Kahi'n jaye'n to na pehne,*
*★_ (3) Ese hi ilaaj Geebat ka hai isme istagfaar kaafi nahi balki jiski Geebat ki hai usse kaho k maine Tumhari Geebat ki hai Maaf kar do,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Hirs aur Duniya Ki Muhabbat Ka ilaaj :-*
*★_ Rasulullah ﷺ ne Hirs ka Sahih ilaaj Tavajjo ilallah ko batlaya hai aur Ye Hirs ka ilaaj is Vajah se hai k Qayda ye hai k Nafs Ek Waqt me Do Cheezo ki Taraf Mutavajjah nahi hota aur Zaahir hai k Hirs ki Haqeeqat Duniya ki Taraf Tavajjo aur Meelan hona hai, Jab is Tavajjo ko kis Doosri Cheez ki Taraf fair diya jayega to Duniya ki Taraf Tavajjo Baqi na rahegi,*
*★_ Jab Hirs ka Sahih ilaaj maloom ho gaya to Ab Samjhe k Tavajjo ilallah kya Cheez hai, Baaz Logo'n ne to ye Samjha hai k Tavajjo ilallah ka ye matlab hai k Namaz padho aur Roze Rakho aur Shara'i Ahkaam ki pabandi karo, In Logo'n ne Zahiri Aamaal per iktifa kiya aur ye log Dil se khuda ki Taraf Mutavajjah hone ki Zarurat mehsoos nahi karte,*
*★_ Aur Baaz Logo'n ne kaha k Tavajjo ilallah yani Allah ki Taraf Mutavajjah hone ka matalab ye hai k Sirf Dil se khuda ki Taraf Mutavajjah ho'n, Ye Zikr Shagal aur Muraqba hi ko le bethe, in Logo'n ne Namaz aur Roza, Tilawat Quran Paak vagera Sab chhod diya, Ese Logo'n ko bhi Barkat aur Nuraniyat Haasil nahi hoti,*
*★_ Tavajjo ilallah ki Haqeeqat yahi hai k Khuda ki Taraf Dil se Mutavajjah ho'n, magar Haqeeqat ki Ek Soorat bhi hua karti hai aur Tavajjo ilallah ki Soorat wohi hai jo Shari'at ne batlayi hai, Bas Dono ko jama karna chahiye k Dil se Allah ki Taraf Mutavajjah raho aur Zaahir se Shara'i Aa'mal ke paband raho, ita'at karo aur Gunaho se bachne ka Ahatmam karo, Nigaah ki Hifazat karo k Na Mehramo ki baate bhi na Suno, Aa'mal Zahira Baatina dono ko jama karna chahiye, fir in Sha Allah Kamyabi zaroor hogi,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Tavajjo ilallah Paida Karne Ki Tarkeeb :-*
*★_ Ek Tarkeeb Ye hsi aur Ye Esi Tarkeeb hai Jisse Tumko inSha Allah Ta'ala Sohbat Ki Barkat Haasil hogi aur Ye jo Dayre se bahar qadam nikla ja raha hai ye Ruk jayega aur Wo Tarkeeb ye hai k Ek Waqt muqarrar kar ke us Waqt me maut ko yaad kiya karo aur Fir Qabr ko yaad karo aur Fir Hashr Ko yaad karo aur Fir Yome Hashr ( Qayamat) ki Holnakiyo aur Waha'n ke Masaib ko yaad karo aur Socho k Humko khuda ke Rubaru khada kiya jayega aur Humne Baaz Purs hogi, Ek Ek Haq ugalna padega aur Fir Sakht Azaab ka Saamna hoga,*
*★"_Is Tarah Rozana Sote Waqt Socha Karo, Do Hafte me in Sha Allah Kaya palat jayegi aur Duniya ke Saath jo Dilchaspi hai wo na rahegi, ilaaj yahi hai k Sochna Shuru kar do, Aakhirat ke Tamaam Umoor ko Socha Karo k Mai'n mar kar Qabr me chala jaungi, Fir ye k khuda Ke Saamne Hisaab ke Liye khadi ki Jaungi, iske baad Pul Siraat per chalna hoga, Fir Jannat milegi ya Dozakh me daali Jaungi, Dozakh me koi Pursane Haal na hoga,*
*★_ Garz un Saare Umoor ko Socha Karo aur khuda ki ita'at ko Apne ouper Laazim kar lo, Khuda ki ita'at me khaas Asar hai k isse fikr paida hogi aur Fikr paida hone se Tamaam Kaam Durust ho jayenge,*
*★_ Aur Ek baat aur Apne Ouper Laazim kar lo Wo ye k Jo Apne Ji me aaye use Foran mat kar liya karo Balki Ulma se Tehqeeq kar ke kiya karo, Agar Na-jaa'iz batlaye'n hargiz us kaam ko mat karo, is Tarah Dastoor Amal rakhne se fir Dil Duniya per Hargiz mutmain na hoga_,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurto'n ko Ek Doosre se Milne me Ahatyaat:-*
*★_ Qur'an Shareef me Aurto'n ko Hukm hai k ( Ahzaab-33) Tum Apne Ghar me jam kar bethi raho, isse Saaf maloom hota hai k Aurto'n ke Liye Asal hukm yahi hai k Wo Apne Apne Gharo se bahar na nikle, na Aurto'n se milne ke liye na Mardo'n se Milne ke liye,*
*★_ Aakhir kuchh to baat hai jo Haq Ta'ala ne Aurto'n ko Ghar me rehne ka Hukm diya, isse Maloom hota hai k Ghar se bahar Nikalna Nuqsan dah hai, Albatta Zarurat ke Moqo per Apne Khawind ki ijazat se Doosro ke Ghar ja Sakti hai,*
*★_ Allah Ki Bandiyo'n ! Aakhir Tum jisko Khujli ka Marz ho usse bachti ho aur Unke Paas bethna aur unse milna julna Tumko gawara nahi hota k Kahi'n humko bhi Khujli na ho jaye aur ye Haalat to Khujli se bhi badtar hai, Khujli ka Nuqsan to Sirf Jismani hai aur iska Nuqsan Jismani bhi hai aur Roohani bhi,*
*★_ Jismani Nuqsan to ye hai k Jab tum Doosri Aurto'n ko Apne Se Achchhi Haalat me dekhogi aur Un Jesa Banna chahogi aur Tumhari Haisiyat unke barabar nahi to Tumko kham wkhwah pareshani hogi aur Raat Din Tum is Fikr me ghulogi k Haay mere paas bhi ye Cheez hoti Wo Cheez Hoti _,*
*★_Fir Baaz dafa Tum Mardo'n se bhi is qism ki farmaish karogi Jo unki Haisiyat se zyada hai Unko ye Farma'ish Nagawar hogi, Jisse Khwah mkhwah Dilo me melapan aur Doori paida hogi Jisse Baaz Awqaat door Tak nobat pahu'nch jati hai,*
*★_ Aur Roohani Nuqsan ye hai k isse NaShukri ka Marz badta hai, Jab Tum Doosro ko Apne se badha hua dekhogi to un Ni'amato ki Qadr na karogi Jo khuda ne Tumko ata farmayi hai'n, Hamesha Yahi Samjhogi k mere paas kya hai Kuchh bhi nahi,*
*★_ isliye Jis per milne Julne ka Esa Asar padta ho usko Yahi Hukm diya jayega k Wo kisi se na mile aur Agar mile to Gareeb Nadaar Aurto'n se mile, Kyunki Gareebo se mil kar Tumhara ji khush hoga aur khuda ka Shukr karogi k Alhamdulillah Mai'n bahut si Aurto'n se Achchhi Haalat me hu'n,*
*★_ Aur Yahi Nukta hai is Hadees me ( balki Waazeh daleel se mazkura Bala Tafseel ki ) k Huzoor ﷺ ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se farmaya - Ey Ayesha miskeeno ke paas betha karo aur unko Apne Nazdeek kiya karo, Miskeeno ke paas bethne se khuda ki Ni'amato ki Qadr hoti hai aur Dil khush rehta hai _, (Al Kamaal fid Deen 86)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ey Aurto'n ! Fizool Uzr Ki Vajah se Namaz me Kotaahi mat karo :-*
*★_ Aksar Aurte'n to Namaz hi nahi padhti aur Ye Uzr karti hai'n k Humko Ghar ke Kaamo se Fursat hi nahi milti, Mai'n kehta hu'n k in Uzr Karne Walo ko Agar Ain Kaam Ke Waqt Peshab ki zarurat is Shiddat se ho k usko Rok hi na Sake Ya ittefaq se Baitul Khala me Jane Ka Shadeed Taqaza ho to is Soorat me kya karengi, Kya us Waqt Tak jab tak k peshab se faragat ho kaam ka Harj karengi ya nahi ? Zaahir hai k Majburan kaam ka Harj karna Padega, To kya khudayi Hukm ki itni bhi zarurat nahi Jitni Taba'i Taqazo ki hoti hai,*
*★_ Aadmi Jis Kaam ke liye Aamada ho jata hai Allah Ta'ala usme zaroor madad farmate hai'n, Zara Namaz Shuru kar ke to dekho insha allah Foolo ki tarah Halki ho jaye'ngi, magar Ab to Aurte'n iraada hi nahi Karti, isliye na karne ke So bahane hai'n, Varna kuchh mushkil baat na thi,*
*★_ Lijiye Mai'n Ek Tadbeer batalata hu'n Jisse bahut Jald Namaz ki pabandi Haasil ho jayegi Wo ye k jab ek Waqt ki Namaz qaza ho to ek Waqt ka Faaqa karo, Fir dekho Namaz kese qaza hoti hai, Agar koi kehe k Namaz ki pabandi to Faaqa se hogi magar Faaqa ki pabandi kese hogi, iski bhi to koi Tarkeeb batao kyunki ye to Namaz se bhi zyada mushkil hai, Faaqa kisse ho sakta hai ?*
*★_ Agar kisi se ye ho sake to wo Apne Zimme kuchh maali Jurmana muqarrar kar le k itne paise fi Namaz khairaat karungi, Ya kuchh Namaze muqarrar kar le'n k Ek Namaz qaza hui to Maslan 10 Raka'at nifl Bator Jurmana ke padha karungi, is tarah Chand Roz me Nafs Theek ho jayega insha Allah Ta'ala, Zara Amal kar ke to dekho,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Aurto'n Ko Namaz ka Paband aur Deendaar banane Ki Ye bhi Ek Tadbeer hai :-*
*★_ Ek Asaan Tadbeer batalata hu'n k is per Amal karne se zaroor Deen Ki Pabandi ho jayegi Wo ye hai k Jis Roz Namaz Vagera me Aurto'n ki zara Susti dekhe'n us Roz unke Haath ka khana na Khao, Ye Esi Sakht Saza hai k iske baad bahut Jald islaah ho jayegi Kyunki Jis Roz Tum unke Haath ka khana na khaoge us Roz Yaqinan unka bhi Faaqa hoga, Bas jab Do Chaar Roz esa hoga khud Sambhal jayengi,*
*★_ Namaz me Aurte'n bahut Kotahi karti hai'n, Baaz To Namaz padhti hi nahi aur Baaz Padhti hai'n magar unka Qur'an Sahi nahi hai aur na Qur'an Sahi karne ka Ahatmam karti hai'n aur Baaz ka Qur'an bhi Sahi hai to wo Waqt ko bahut Tang kar deti hai'n, Zuhar ki Asr ke Waqt aur Asr ki Magrib ke Waqt padhti hai'n,*
*★_ Hala'nki Mardo'n ke Liye to Baaz Awqaat me to Takheer masnoon bhi hai magar Aurto'n ke liye to Sab Namaze Awwal Waqt padhna Afzal hai magar ye Awwal to Awwal Aakhir me bhi nahi padhti balki Aksar Qaza padhti hai'n aur Baaz Aurte'n Ye Kotahi karti hai'n k Un Namazo Ki Qaza nahi karti jo Har Mahine unse Gusl ki Takheer ki Vajah se Chhoot jati hai'n, Agar Ahatyaat kare'n aur Masla Achchhi Tarah maloom kar le'n to Awwal to Esi nobat hi na aaye aur Jo Galti se Esa ho jaye to Jald hi Qaza karna chahiye,*
*★_ Garz Aamale Zahira me Namaz Sabse Aham hai iski Achchhi Tarah pabandi karna Chahiye, aur Dil laga kar Namaz padha kare'n Jaldi Jaldi Sar se bojh na utaare, Baaz Aurte'n Qur'an galat padhti hai'n iska Ahatmam bhi zaroori hai k Qur'an paak Sahi ho jaye, Baaz dafa esi Galti ho jati hai jisse Namaz Toot jati hai, Chand Soorte'n to Namaz ke liye kam se kam zaroor Sahi kar lo_,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Agar Geebat ki Aadat Rakhoge to Aapas me Talluqaat Kharab ho jayenge :-*
*★_ Aurte'n Geebat bahut Karti hai'n Khud bhi Hikayat Shikayat karti hai'n aur Doosro se Sunti hai'n aur is Talash me rehti hai'n k Koi Aurat bahar se aayi aur puchhna Shuru kiya k fala'n mujhko kya kehti thi goya intezar hi kar rahi thi_,*
*★_ Khoob Samajh lo k is Geebat se Na ittefaqi ho jati hai, Aapas me Adawat (Dushmani) qaa'im ho jati hai, iske alawa Geebat karna aur uska Sunna khud bada Gunaah hai, Kalamullah me iski badi Mazammat aayi hai, Geebat Zina se zyada sakht aur bada Gunaah hai,*
*★_ Farmaya Hadees Shareef me hai Geebat karna Zina se zyada sakht hai, Hazrat Haji Sahab ne iski Vajah bayan farmayi hai k Zina ka Gunaah Shehwat se Mutalliq hai aur Geebat ka Gunaah Takabbur se Mutalliq hai aur Takabbur Shehwat se Zyada khatarnak hai_, ( Husnul Azeez- 2/367)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Geebat Ke Ahkaam:-*
*★_ (1) Geebat ye hai k Kisi Ki Peeth pichhe uski Esi Burayi karna k Agar Uske Saamne ki Jaye to usko Ranj ho chahe Wo Sachchi hi baat ho varna wo Bohtaan hai aur Peeth pichhe ki Qaid se Ye na Samajha jaye k Saamne Burayi karna Jaa'iz hai kyunki Wo Taan me Daakhil hai Jiski muma'nat aayi hai, Aur Tehqeeqi baat yahi hai k Geebat Gunahe Kabira hai,*
*★_(2) Geebat me Haququllah aur Huququl ibaad dono hai'n aur Maaf karna bhi Zaroori hai, Albatta Baaz Ulma ne kaha hai k Jab Tak Us Shakhs ko us Geebat ki khabar na pahu'nche To Huququl ibaad nahi hota Lekin is Soorat me bhi Jis Shakhs ke Saamne Geebat ki thi uske Saamne Apni Takzeeb karna Yani Apne ko Galti per batlana Zaroori hai aur Agar Mumkin na ho to Majboori hai,*
*★_(3) Marne Ke Baad Waariso se Maaf Karana kaafi nahi balki mayyat ke liye istagfaar karta rahe, Unke Liye bhi aur Apne Liye bhi,*
*★_(4) Bachcha, Majnoon aur Gair Muslim Zimmi ki Geebat bhi Haraam hai kyunki unko Takleef Dena haraam hai aur Rahi baat Gair Muslim ki Geebat Waqt Zaya karne ki Vajah se Makrooh hai,*
*★_ (5) Geebat kabhi fail se bhi hoti hai Maslan Kisi Langde ki Naqal bana kar Chalne lage Jisse uski Hiqarat ho,*
*★_(6) Aur Jisse Geebat ko Maaf karaya jaye uske Liye Mustahab hai k Maaf kar de,*
*★_(7) Bager Majburi Geebat Sunna Geebat karne ke barabar hai,*
*★_(8) Agar Burayi karne ki koi Zarurat ya Maslihat ho Jo Shar'an Moatbar ho Wo Geebat Haraam me dakhil nahi, Jese Zaalim Ki Shikayat Ese Shakhs se jo Zulm dafa kar sake, Ya Musalmano ko Deeni ya Duniyavi Shar se bachane ke liye Kisi ka haal batla diya ya Kisi ke Mashwara lene ke Waqt uska Haal Zaahir kar diya _,*
*®-( Bayanul Qur'an)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Geebat Chugli se Maafi Talafi Ka Tareeqa:-*
*★_ Agar Kisi ki Geebat ho gayi ho to Allah Ta'ala se istagfaar ke Saath us Shakhs se bhi maafi maangne ki zarurat hai Jiski Geebat ki hai, Lekin Geebat ki poori Tafseel batlane se (k maine Tumhari ye Geebat ki hai isse) Usko Takleef hogi, isliye ijmali Tor per itna keh dena kaafi hai k Mera Kaha Suna Maaf karo _,*
*★_ Aur iske Saath ye bhi Zaroori hai k Jin Logo'n ke Saamne Geebat ki thi Saath hi unke Saamne Uski Tareef bhi kare'n aur Pehli baat ka Galat hona Zaahir kar de, aur Agar wo baat Galat na ho Sachchi Baat ho ( yani usme Waqai wo aib mojood ho ) Tab Yu'n keh do k Bhai is Baat per aitmaad kar ke Tum Fala'n Shakhs se bad guman na hona Kyunki mujhe Khud is baat per aitmaad nahi,*
*★_ Agar Wo Shakhs mar gaya hai Jiski Geebat ki thi to Ab maaf karane ka Tareeqa ye hai k Uske Liye Dua v istagfaar karte raho Yaha'n Tak k Dil gawahi de de k Ab Wo Tumse Raazi ho gaya hoga,*
*★_ Agar jiski Geebat ki hai ya Gaali di hai wo mar gaya ho ya Lapata ho gaya ho to uske Haq me Dua karo, Namaz aur Qur'an padh kar usko Sawab bakhsho aur Umr bhar uske Liye ( jiski Geebat ki hai) Duae'n karte raho,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Agar Tumne Kisi Ka Teen Paisa Liya To Saat So Maqbool Namaze Haqdaar ko Deni Padegi:-*
*★_ Hadees Shareef me aaya hai k Qayamat ke Din Bande Ko Haq Ta'ala khada Kar ke dariyaft farmayenge k Jawani Kaha'n kharch ki aur Maal Kaha'n se kamaya aur Kaha'n kharch kiya aur Hadees Shareef me hai k Huqooq Ko Duniya hi me ada Kar do ya Maaf Kara lo Us Din se pehle Jisme Rupiya Paisa kuchh na hoga _,*
*★_ Zulm halki cheez nahi hai, Saari ibaadate us Waqt Tak NaKaafi hai'n Jab Tak Zulm se bara'at na hogi, Durre Mukhtar me likha hai k Ek Daang ke badle me jo Dirham ka chhata hissa hai Jisko Teen Paisa Samajh lijiye ( iske badle me ) Saat So Maqbool Namaze Haqdaar ko dilayi jayengi, Kitni Sakht musibat hogi, Awwal to Hamari Namaze maqbool hi kitni hai'n Fir Teen Teen paise ke badle me wo bhi jaati rahi to batlaiye Qayamat me kesi Hasrat hogi_,*
*★_ Muslim Shareef ki Hadees hai ( iska Mafhoom hai ) Rasulullah ﷺ ne Sahaba se farmaya Tum muflis kisko Samajhte ho ? Sahaba ne arz kiya k Hamare Nazdeek muflis wo hai Jiske Paas Dirham Dinaar na ho'n, Huzoor ﷺ ne farmaya k isse badh kar Muflis wo hai Jisne Namaze bhi bahut padhi thi, Roze bhi bahut rakhe they Zakaat bhi di aur Sadqaat bhi kiye they magar iske Saath usne kisi ko gaali di thi Kisi ko maara peeta tha, kisi ka maal le liya tha, Ab Qayamat me Ek aaya wo uski Namaze le gaya aur Doosra aaya wo Roze le gaya, Teesra aaya wo Hajj le gaya, Chotha aaya wo uski Zakaat v Sadqaat le gaya Fir bhi kuchh Haqdaar Bach gaye aur unko Dene ko Nekiya'n na bachi to unke Gunaah us per daal diye gaye aur Ita'at se khali ho kar Gunaho me jakad kar jahannam me dakhil hoga, Ye Sabse bada Muflis hai,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Khalasi aur Talafi Ka Tareeqa Sahi Niyat bhi hai :-*
*★_ Talafi aur Huqooq se Khalasi ka Tareeqa ye hai k Khuda Ta'ala ke Yaha'n Pakki Sachchi Tauba karna aur Adaygi ka pukhta irada kar Lena bhi maqbool hai, Pehle to tum haq wale se maafi ki Darkhwast karo, Agar wo khushi se maaf kar de tab to masla Asaan hai Jaldi khalasi ho gayi aur Agar maaf na kare to Ab poora haq ada karna Zaruri hai,*
*★_ Agar Bahut Zyada hua Ek dam se ada karna mushkil ho to thoda thoda jitna ho Sake uska Haq ada kare aur Agar wo ( yani Haq wale ) mar gaye ho'n to unke Waariso ko do aur Agar Waaris bhi maloom na ho to unki niyat se khairaat karte raho in sha Allah ummeed hai k Duniya hi me Saara Haq ada ho jayega _,*
*★_ Aur Agar Kuchh ada hua aur Kuchh reh gaya to usko Haq Ta'ala Ada kar denge, Haq Ta'ala ke Yaha'n Niyat ko Zyada dekha jata hai, Jiski Niyat Pukhta ho k Mai'n Haq ada karunga Fir us per Amal bhi Shuru kar de Haq Ta'ala usko bilkul bari kar dete hai'n _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Shohar Ko Deendaar aur Namazi banane Ki Koshish Karo:-*
*★_ Aurto'n Ki badi Kotaahi hai k Apne Mardo'n ko Deendar aur Namazi banane ki koshish nahi karti, Deeni Huqooq me Ek Kotaahi Aurte'n ye karti hai'n k Mard ko Jahannam ki Aag se bachane ka Ahatmam nahi karti Yani iski Kuchh Parwah nahi karti k Mard Hamare Waaste Halaal v Haraam me mubtila hai aur Kamane me Rishwat vagera se Parhez nahi karta To usko Samjhaye'n k Tum Haraam Aamdani mat laya karo, Hum Halaal hi me Apna Guzar kar lenge,*
*★_ isi Tarah Agar Mard Namaz na padhta ho to usko bilkul Nasihat nahi karti, Hala'nki Apni gazr ke Liye usse sab kuchh kar leti hai'n, Agar Aurat Mard ko Deendar banana chahe to kuchh mushkil nahi magar iske liye zarurat hai k pehle khud Deendaar bano, Namaz aur Roza ki Pabandi karo, Fir Mard ko Nasihat karo to in sha Allah Asar hoga,*
*★_ Magar baaz Aurte'n Deendari per aati hai'n to ye Tareeqa Akhtyar kar leti hai'n k Tasbeeh aur Musalla le kar Beth gayi'n aur ghar ke Kaam aur Shohar ki khidmat ko be fikr ho gayi'n, Ye Tareeqa Achchha nahi kyunki Ghar ki Nigrani aur Shohar ke maal ki Hifazat aur khidmat Aurat ke Zimme Farz hai, aur Jab Farz me khalal aa gaya to ye Nifle aur Tasbeeh kya kaam dengi, isliye Deendari me Gulu bhi na karo k Ghar ki khabar hi na lo, Namaz Roza is Tarah karo k uske Saath Ghar aur Shohar ka bhi poora haq ada karo _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Ey Aurto'n ! Shohar Ki Tazeem v Khidmat me Kotaahi Behaya'i hai :-*
*★_ Aurto'n Ka Apne Shohar ki Tazeem aur Unke Adab me Kotaahi karna Sakht Behaya'i hai, Baaz Aurte'n Shohar ki ita'at v Khidmat me Kami karti hai'n, Baaz Aurte'n Mard ki Khidmat Nokraniyo per daal deti hai'n aur Khud uske Kaamo ka Ahatmam nahi karti'n,*
*★_ Aur Baaz Aurte'n Mardo'n se Kharch bahut maangti hai'n, Baaz jagah to Mardo'n per Hukumat karti hai'n Hala'nki Shari'at me Shohar ki Tazeem Ke Mutalliq Sakht Takeed aayi hai, Hadees Shareef me Saaf aaya hai k Agar Mai'n khuda ke Siva Kisi ke Liye Sajde ko Jaa'iz karta to Aurto'n ko Hukm deta k Apne Shoharo ko Sajda kiya kare'n, Lekin Sajda to khuda ke Siva Kisi ko Jaa'iz nahi,*
*★_ isse Ye baat To Maloom ho gayi k Shohar ki kis darja Tazeem Aurto'n ke Zimme Waajib hai, Baaz jagah to Aurte'n Mard ko Zaleel bhi karti hai'n aur Baaz jagah mard bhi Zaalim hote hai'n k Wo Aurto'n ko bahut Zaleel rakhte hai'n aur Baaz jagah dono Taraf se ye Bartaav hota hai, Qayamat me in sabka hisaab hoga aur jisne jiski Haq Talfi ki hogi usse inteqam liya jayega,*
*★_ isliye Mardo'n ko chahiye K Wo Aurto'n ke Huqooq ki Ri'ayat rakhe'n aur Aurto'n ko Mardo'n ki Tazeem karni chahiye aur unki ita'at v Farmabardari ka khayal rakhna chahiye,*
*★_ Azwaaj Mutaharaat ( Yani Huzoor ﷺ ki Biviya'n) Huzoor ﷺ ke Ahkaam ki Mukhalifat kabhi na karti thi'n, Aapki Tazeem aur Adab is darja karti thi'n k Duniya me kisi ki Azmat bhi unke Dil me Huzoor ﷺ ke barabar na thi_,*
*®_( Huqooqul Bait-23)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Shohar Ko Haqeer na Samjha jaye Chahe Wo Faasiq ho:-*
*★_ Agar Shohar Be Namazi ho usko bhi Haqeer na Samjho, Aurto'n me Ek Marz ye bhi hai k Agar Wo khud Namaz Roza ki Paband hoti hai'n aur Shohar unko Esa mil gaya jo Azaad hai to usko Wo bahut Haqeer Samajhti hai'n Goya k Apne Aapko Rabiya Basri se kam nahi jaanti,*
*★_ Humne Maana k Wo Gunehgar hai lekin Ulma se Masla to puchho dekho wo kya kehte hai'n, Yaad Rakho ! Apni Zaat ke aitbaar se chahe wo kesa hi ho lekin Tum per unki ita'at Hi Waajib hai, isliye k Wo Tumhara Maalik aur Haakim hai, isliye k Khawind ka Haakim hona Qur'an v Hadees se Saabit hai,*
*★_ Garz Zojiyat ( Yani Bivi hona ) ita'at ka Sabab hai, Haa'n agar Namaz Roza se mana kare to isme uski ita'at na kare'n Lekin Namaz Roza se muraad bhi Farz Namaz Roza hai, Nifl Namaz Roza se uski ita'at muqaddam hai balki Fara'iz ke Mutalliq bhi Agar Wo kahe k zara thehar kar padh lo aur waqt me Gunja'ish hai to mo'akhar kar dena chahiye, Haa'n agar Waqt Makrooh hone lage to us Waqt uska kehna na maane,*
*★_ Albatta Agar Wo Sareeh Kufr v Shirk ka irtkaab kare, us Waqt kisi muhaqqiq Aalim se Fatwa le kar usse juda ho jaye'n, Baqi Fisq tak jabki wo tumko Fisq ka Hukm na kare uski ita'at karo, Yaha'n Tak k Agar Wo ye kahe k Wazifa chhod kar meri khidmat karo to Wazifa ( Tasbihaat ) chhod do, Ye na Samajho k isse buzurgi me farq aa jayega, Buzurgi to Shari'at ki itteba ka naam hai, Jab Tumko Khawind ki ita'at ka Shari'at ne hukm diya hai to bas Buzurgi isi me hai k unki ita'at karo _,*
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Shohar Ki Shaan me Gustakhi v Zuban Darazi ka Marz :-*
*★_ Baaz Aurto'n ki ye Aadat hai k wo Khawind se Zuban Darazi se pesh aati hai'n, Uske Saamne Khamosh hi nahi hoti, Hattaki Baaz Khawind maarte peette bhi hai'n magar ye Chup nahi hoti,*
*★_ Baaz jagah Aurte'n Mardo'n ko Zaleel karti hai'n aur Yaha'n Tak k Jo baat Shohar kehta hai Uska Jawab unke Paas Tayyar rehta hai, Koi baat hai Jawab na chhodengi chahe gawara ho ya Nagawar, Chahe m'aqool ho ya Na- m'aqool, Garz Aurto'n me Zuban Darazi ka bada marz hai aur ye Saari Kharabi Takabbur ki hai, Esi Aurte'n ye Chahti hai'n k Hum haar nahi manengi,*
*★_ Hadees me Sayyadna Rasulullah ﷺ ka irshad hai k Agar Mai'n khuda ke Siva Kisi ke liye Sajda Karne Ki ijazat deta to Aurat ko Hukm karta k Apne Khawind ko Sajda kiya kare, Kya thikana hai Mard ki Azmat ka k Agar khuda ke baad kisi ke liye Sajda Jaa'iz hota to Aurat ko Mard ke Sajde ka Hukm hota,*
*★_. Ey Aurto'n ! Khuda ne Tumko jesa banaya hai Wesa hi Apne ko Mard se Chhota Samjho aur uske Gusse
╥────────────────────❥
*⊙⇨ Shohar Ki Shaan me Gustakhi v Zuban Darazi ka Marz :-*
*★_ Baaz Aurto'n ki ye Aadat hai k wo Khawind se Zuban Darazi se pesh aati hai'n, Uske Saamne Khamosh hi nahi hoti, Hattaki Baaz Khawind maarte peette bhi hai'n magar ye Chup nahi hoti,*
*★_ Baaz jagah Aurte'n Mardo'n ko Zaleel karti hai'n aur Yaha'n Tak k Jo baat Shohar kehta hai Uska Jawab unke Paas Tayyar rehta hai, Koi baat hai Jawab na chhodengi chahe gawara ho ya Nagawar, Chahe m'aqool ho ya Na- m'aqool, Garz Aurto'n me Zuban Darazi ka bada marz hai aur ye Saari Kharabi Takabbur ki hai, Esi Aurte'n ye Chahti hai'n k Hum haar nahi manengi,*
*★_ Hadees me Sayyadna Rasulullah ﷺ ka irshad hai k Agar Mai'n khuda ke Siva Kisi ke liye Sajda Karne Ki ijazat deta to Aurat ko Hukm karta k Apne Khawind ko Sajda kiya kare, Kya thikana hai Mard ki Azmat ka k Agar khuda ke baad kisi ke liye Sajda Jaa'iz hota to Aurat ko Mard ke Sajde ka Hukm hota,*
*★_. Ey Aurto'n ! Khuda ne Tumko jesa banaya hai Wesa hi Apne ko Mard se Chhota Samjho aur uske Gusse Ke Waqt Zuban Darazi bhi na karo Us Waqt Khamosh raho aur Jab uska Gussa utar jaye to Doosre Waqt kaho k Mai'n us Waqt na boli thi Ab batlati hu'n k Tumhari fala'n baat beja thi ya Zyadti ki thi, is Tarah karne se baat bhi na badegi aur Mardo'n ke Dil me Tumhari qadr bhi hogi _,*
*®_( Huququl Bait -51)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurto'n me NaShukri Ka Marz :-*
*★_ NaShukri ka madda Aurto'n me bahut zyada hai, Hadees me bhi Aurto'n ki is Sifat ka zikr aaya hai, Huzoor ﷺ ne ek baar Aurto'n ko Khitaab kar ke farmaya k Tum laanat aur fatkaar bahut Karti ho aur Khawind ki NaShukri karti ho _,*
*★_ Aurto'n me NaShukri ka madda zyada hai, Agar Allah Ta'ala inko Zarurat ke muwafiq Samaan ata farma de to ye usko ganimat nahi Samajhti na us Per Allah Ta'ala ka Shukr karti hai'n, Balki NaShukri karti hai'n k Haay hamare paas hai kya ? Kuchh bhi nahi, Hadees me bhi inki is Sifat ka Tazkira aaya hai, Jisse maloom hota hai k NaShukri ka madda Aurto'n me Hamesha se hai,*
*★_ Huzoor ﷺ ka irshad hai k Agar Tum Aurat ke Saath Umr bhar Achchha Bartaav karte raho fir bhi ek dafa koi Khilafe Mizaaj baat dekh le to wo Yu'n kahegi k maine Tujhse koi Bhalayi nahi dekhi _, (Mishkaat Shareef)*
*★_ Bas zara si baat me Saari Umr ke Ahsanaat ko faramosh kar jati hai'n, Jaha'n kisi din inko Shohar ke ghar me khane pine ki Tangi hui aur inhone isko Moo'nh per Lana shuru kiya, Jo Moo'nh me aata hai keh daalati hai'n aur iska zara khayal nahi karti k Aakhir isi Ghar me Saari Umr rehna hai, isko na bhoolna chahiye aur khuda ka Shukr karna chahiye k usne Takleef Aaj hi dikhayi hai aur zyada zamana aish ka guzra hai,*
*®_ Al kamaal Fid Deen- 76)*
╥────────────────────❥
*⊙⇨Aurte'n Cheezo ki Khareedne me israaf ( Fizool Kharchi) Karti hai'n Jo Gunaah hai :-*
*★_ Ek Marz Aurto'n me ye bhi hai Jo NaShukri ka Shoba hai k Koi Cheez Chahe kaam ki ho ya na ho pasand aana Chahiye, Bina Soche Samjhe usko Khareed leti hai'n aur Ye Aadat NaShukri ka Shoba isliye hai k isme Shohar ke maal ko barbad karna hai, Khud Apne Maal ko barbad karna bhi NaShukri hai, Jesa k irshad hai k beshak be moqa maal udane wale Shaitan ke Bhai hai'n aur Shaitan Apne Parwardigar ka bada Nashukra hai,*
*★_ Hadees me Huzoor ﷺ ne Maal ko Zaaya karne se mana farmaya hai, Aurte'n Khawind ke Maal ko badi bedardi se udati hai'n, Khaas kar Shaadi Biyah ki Khurafaat Rasmo me, Baaz jagah to Mard v Aurat dono mil kar kharch karte hai'n aur Baaz jagah Sirf Aurte'n hi kharch ki Maalik hoti hai'n,*
*★_ Fir iska Nateeja ye hota hai k Mard Maqrooz hota hai, To zyadatar mard Haraam Aamdani me Mashgool hote hai'n iska bada Sabab Aurto'n ki fizool kharchi hai, Aurto'n ne bas ye Samajh liya hai k humko to kamana nahi padta jis Tarah chahe kharch kare'n Mard Apne Aap kama kar layega,*
*★_ Yaad Rakho ! Shohar ke maal ki nigegbani Aurto'n ke Zimme Waajib hai, isko is Tarah Raayga karna Jaa'iz nahi, Qayamat me Aurto'n se iska bhi Hisaab hoga_,*
*®_ ( Al kamaal Fid Deen-113)*
╥────────────────────❥
*⊙_ Shadiyo'n me Fizool Kharchi _,*
*★_ Khususan Shadiyo'n me Aurte'n bahut Fizool Kharchi Karti hai'n, inme To Aurte'n hi Mufti E Aazam hoti hai'n, Saare Kaam unhi se poochh kar kiye jate hai'n, Mard jaante hi nahi k Shadiyo'n me Kaha'n kharch ki zarurat hai Kaha'n nahi, Bas Jis Jagah Aurte'n kharch karne ka Hukm deti hai'n Waha'n bila chu chara kharch kiya jata hai aur Aurto'n ne Ese be Dhange Kharch nikaal rakhe hai'n Jinme Fizool Rupiya barbad hota hai,*
*★_ in Shadiyo'n ki Badolat bahut se ghar Tabaah v barbad ho gaye, Lekin ab bhi Logo'n ko Aqal nahi aayi aur in Rasmo vagera me Aurto'n ka itteba nahi chhodte, Ab bhi Logo'n ki Aa'nkhe nahi khuli, Jab Saara Ghar barbad nilaam ho jayega us Waqt Shari'at ke muwafiq Shaadi ki soojhegi,*
*★_ Sahibo ! Shadiyo'n me bahut ikhtisar karna chahiye k baad me Afsos na ho k Haay humne ye kya kiya, Agar kisi ke paas bahut zyada hi Raqam ho to usko is tarah barbad karna munasib nahi balki Duniyadaar ko kuchh Raqam jama bhi rakhna chahiye, isse Dil ko itminaan rehta hai,*
*®_( Al kamaal Fid Deen-12)*
╥────────────────────❥
*⊙__ Shohar Ke Maal me Tasarruf,*
*"_ Aurte'n Baaz dafa Khawind ke maal me Tasarruf karte hue ye Samajhti hai'n k Wo ijazat de dega aur Baaz dafa wo Khamosh bhi ho jata hai Magar baaz martaba khoob khafa hota hai aur Miya Bivi me khoob Achchhi Tarah tu tu Mai'n hoti hai,*
*★_ Garz jab tak ijazat Sarahat na ho ya Gaalib Guman na ho us Waqt Tak Aurto'n ko Kisi ko kuchh na dena chahiye, maine dekha hai k Aurte'n Chande ke bare me bahut Sakhi hoti Hai'n, Jaha'n Unhone Sadqa ke Fazail kisi Wa'az me Sune aur Sadqa nikalna shuru kiya,*
*★_ Yaad Rakho ! Jo Raqam khaas Tumhari milk ho usme se dene ka to muzayqa nahi magar jo Shohar ne mahaz rakhne ke liye diya ho usko dena Khawind ki ijazat ke bager Jaa'iz nahi,*
*★_ Ye Tafseel is Soorat me hai jab k Khawind ka maal diya jaye aur Agar khaas Aurat hi ka maal ho to usme Khawind ki ijazat ki zarurat nahi magar Fir bhi usse mashwara kar lena chahiye, Albatta Agar koi esi mamooli cheez ho jisme Gaalib Ahatmal ijazat ka Ho to khair koi Harj nahi_,*
*®_( Asbabul khitta, Deen v Duniya)*
╥────────────────────❥
*⊙__ Aurto'n me Maa'ngi hui Cheez waapas na karna bhi buri Aadat hai :-*
*★_ Aurto'n me Ek bahut badi Kharabi ye hai k Maa'ngi hui Cheez me Susti v laparwahi karti hai'n, Haalat ye hai k koi cheez Maa'ngi aur kaam bhi ho gaya magar ye Tofeeq nahi hoti k Waapas kar de'n, Jab dene wala ( Maalik) khud hi maangta hai tab deti hai'n,*
*★_ Aur khud bhi dengi to ek Arsa ke baad, Usme bahut si cheeze gum ho jati hai'n aur kharab bhi ho jati hai'n, Baaz waqt Mahino guzar jate hai'n ( lekin cheez ) waapas hi nahi ki jati, Agar kisi ne Talab kar liya to de di varna parwah bhi nahi hoti,*
*★_ Chahe Niyat kharab na ho magar Susti is qadar hai k Had se zyada, Hala'nki Shari'at ne isme itni Ahatyaat ki hai k Fuqha Kiraam likhte hai'n k Agar koi khana bheje to us bartan me khana haraam hai, Apne Bartan me ulat lo fir Khao, Haa'n agar Maalik istemal karne ki ijazat de de to Jaa'iz hai,*
*★_ Fuqha ke Qaul ki Daleel ye Hadees me hai k khabardaar ho jao kisi Musalman ka maal uski Dili Razamandi ke bager Halaal nahi, ( Bayhqi)*
*"_ Fuqha ke Kalam ka khulasa yahi hua k doosre ki milk me bila ijazat ke Tasarruf karne aur istemal karne se Aadmi Gunehgar hota hai, Agar wo cheez Zaaya ho jaye to Zaamin hota hai, Yani uska Tawaan dena laazim hota hai,*
╥────────────────────❥
*⊙___ Qarz le kar na dena :-*
*★_ Aurto'n me Ek Kharabi Ye hai k Qarz le kar ada nahi karti, Qarz Ada Karne ki bilkul Aadat hi nahi, Chuna'che Hadees me hai Huzoor ﷺ ka Farman hai ( jiska Mafhoom hai) k Maine Jannat ke darwaze par likha dekha k Sadqa dene se das (10) Nekiya'n milti hai'n aur Qarz dene se Atharah (18), Aapne Hazrat Jibrail Alaihissalam se vajah puchhi to unhone farmaya k Qarz Wohi maangta hai Jise Sakht Zarurat hoti hai, Kyunki use Fir Waapas karna padta hai, Ba Khila Sadqa ke,*
*★_ To Qarz dene ka ya Udhaar koi cheez dene ka itna bada Sawab hai, Magar Jab koi le kar ada hi na kare fir Kon de, haalat ye ho gayi k Qarz de kar Vasool nahi hota Hattaki Qarzdaar Saamne aana tak chhod dete hai'n, aur Baaz log koi Samaan khareed kar Ek Do Rupiya udhar kar ke fir dene ka naam nahi lete aur mamooli Raqam Ek Do Rupiya hone ki vajah se dene ki zarurat hi nahin samajhte aur Vasool karne wale ko maangte hue bhi Sharm maloom hoti hai,*
*★_ Lekin Qayamat ka maamla bahut Nazuk hai, Teen paise bhi jiske Zimme reh gaye uski Saat So Maqbool Namaze chheen kar Haq Wale ko dilwa di jayengi, Ye kis qadar khof ki baat hai, Saari Umr Namaze padhi aur Qayamat me chheen li gayi'n, Ye Natija hoga k Aakhirat bhi barbaad, ki karayi ibaadat bhi Apne paas na rahi,*
╥────────────────────❥
*⊙__Rail ke Safar me Kotahiya'n:-*
*★_ Rail Ke Safar me Aksar Aurte'n aur Mard is qadar Samaan le jate hai'n Jo Had ijazat ( yani Qanoon se ) zyada hota hai aur na uska kiraya dete hai'n na Wazan karate hai'n ( na Raseed katate hai'n) aur Baaz dafa esa hota hai k khud to Teesre Darje ( Third Class) ka ticket liya tha Lekin ittefaq se miyana darja ( Second Class) me ja kar Beth gaye, Ya Ticket liya 2-3 station ka aur chale gaye bahut Door tak, in sab Soorato me ye Shakhs Railway Mahkama ka Qarzdaar rehta hai aur Qayamat ke Din isse Vasool kiya jayega,*
*★_ Agar Esi galti ho gayi ho to iske ada karne ka Asaan Tareeqa ye hai k Hisaab kar ke jis qadar Railway ki Qeemat apne Zimme nikle Us Qeemat ka Ek Ticket khareed kar usse kaam na le'n Faad dale'n, isse Mahkama ka Rupiya bhi ada ho jayega aur us Shakhs per koi ilzaam bhi na aayega,*
*®_( Tafseel At-tauba Dawaat Abdiyat-8/46)*
╥────────────────────❥
*⊙__Ey Aurto'n Rishtedaro se parde me Kotaahi mat karo :-*
*★_ Ek Kotaahi Baaz Aurto'n me ye hai k unme Parde ka Ahatmam kam hai, Apne Azeez Rishtedaro me jo Na-Mehram hai'n ( yani Jinse Rishta Hamesha Ke Liye Haraam nahi) unke Saamne betakalluf aati hai'n, Mamu zaad Chacha zaad Khala Zaad Bhaiyo'n se bilkul parda nahi karti hai'n aur Gazab ye hai k unke Saamne Banaav Singhar kar ke bhi aati hai'n, Fir Badan Chhupane ka zara bhi Ahatlaam nahi Karti'n,*
*★_ Aur Agar kisi ka badan Dhaka hua bhi ho to Kapde Ese Bareek hote hai'n jinse Saara Badan jhalakta hai, Hala'nki Bareek kapde pehan kar Mehram ke Saamne aana bhi Jaa'iz nahi, Kyunki Mehram ( yani Jinse Rishta karna Haraam hai ) unse pet aur kamar aur pehlu aur Pasliyo ka chhipana bhi Farz hai, aur Esa Bareek kapda pehan kar Mehram ( Maslan Bhai Chacha vagera ) ke Saamne aana bhi Jaa'iz nahi, Jisse pet ya kamar ya Pehlu ya Pasliya'n Zaahir ho'n ya unka koi Hissa Nazar aata ho,*
*★_ Shari'at ne to Meshram ke Saamne aane me bhi itni qaid lagayi hai aur Aaj kal ki Aurte'n Na-Mehramo ke Saamne bhi bebaki se aati hai'n goya Shari'at poora muqabla hai, Bibiyo'n! Parde ka Ahatmam karo aur Na- Mehram Rishtedaro ke Saamne qat'an na aao aur Mehram ke Saamne Ahatyaat se aao,*
*®_( Al kamaal Fid Deen- 108)*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ki Vajah se Mardo'n me Ladayi :-*
*★_ Kabhi kabhi Aurto'n ki ladayi ka Fasaad Shadeed bhi ho jata hai k Baaz dafa ye Apne Aapas ki Takraar aur Ladaiyo'n ko Mardo'n se bayan kar deti hai'n k fala'n ne mujhe Yu'n kaha aur Tujhe Yu'n kaha, Mardo'n me Hararat hoti hai un per zyada asar hota hai, fir ye baat Yahi'n tak nahi rehti balki haatha Paayi ki nobat aa jati hai'n Jiski vajah se Qatl aur khoon tak ho jate hai'n,*
*★_ Aurto'n ki Aadat hoti hai k Ek zara sa bahana mil jaye unko muddato tak na bhoolengi aur Baal ki khaal nikalti chali jaye'ngi, Unka keena kisi tarah nikalta hi nahi, Koi Ghar esa nahi jiski Aurte'n isme mubtila na ho'n, Maa'n Beti Aapas me ladti hai'n, Saas Bahu Aapas me ladti hai'n aur Devrani Jethani to paida hi isliye hui hai'n ( k ladayi kare'n)*
*★_ Aur dekha jaye to in Ladaiyo'n ki Buniyad sirf Vaham Parasti hai, Kisi ke bare me zara sa Shub'ha hua aur Aseer Hukm lagana shuru kar diya, Gharo me Hamesha Ladayi chhoti chhoti baato per hoti hai, Kisi khuda ki bandi ko ye Tofeeq nahi hoti k jab Shikayat sune to is beech ke Waaste ko qata kar ke khud us Shikayat karne wali se poochh le'n k tumne meri Shikayat ki hai kya ?*
*★_ Masnoon Tareeqa bhi yahi hai k Agar kisi se kuchh Shikayat Dil me ho to us Shakhs se Zaahir kar de k Tumhari Taraf se mere Dil me Ye Shikayat hai, Us Shakhs se uska Jawab mil jayega aur Agar Wo Shikayat galat thi to bilkul door ho jayegi, aur Suni Sunayi baato per aitbaar kar lena aur Aseer koi hukm laga dena bilkul Shari'at ke khilaaf aur Jahalat hai,*
*★_ is moqe ke liye Qur'an Shareef me mojood hai, Badgumaniyo se bacho beshak bahut si Badgumaniya'n Gunaah hoti hai'n _, (Surah Hujraat -26)*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurte'n aur Rasmo Ki Pabandi :-*
*★_ is maamle me Aurto'n ki Haalat bahut Zyada kharab hai, Ye Apni Zehan ki esi Pakki Hoti hai'n k Deen To kya Duniya ki bhi barbaadi ka inko khayal nahi rehta, Rasmo Ke Saamne chahe Kuchh bhi Nuqsan ho jaye Kuchh Parwah nahi karti'n, magar Tajjub ye hai k Ab Tak bhi in Rasmo ki Burayi inko mehsoos nahi hoti,*
*★_ Khaas kar Shaadi Biyah ki Rasmo me aur Shekhi ke Kaamo me Baaz jagah Sirf Aurte'n kharch ki Maalik hoti hai'n, Jitne Samaan Shaadi Biyah ke hai'n Sabki Buniyad Tafakhur aur Namood ( Shohrat ) per hai aur Ye Tafakhur go mard bhi karte hai'n magar Asal jad isme Aurte'n hi Hai'n, Ye is Fun ki maahir hai'n aur Esi Tajurbe Kaar hai'n k Nihayat Asaani se Taleem de Sakti hai'n,*
*★_ Musalman Mard Aurat per Laazim hai k in Sab Behooda Rasmo ko mitane per himmat Baa'ndhe aur Dil v Jaan se Koshish kare'n k Ek Rasm bhi baqi na rahe aur Jis Tarah Huzoor Aqdas ﷺ ke Mubarak Zamane me Saadgi se Seedhe Saadhe Tor per kaam hua karte they Uske Muwafiq Ab Fir hone lage, Jo Mard aur jo Aurate'n ye Koshish karenge unko bada Sawab milega,*
*"_ Hadees Shareef me aaya hai k Sunnat ka Tareeqa mit jane ke baad jo koi us ( Sunnat ke ) Tareeqe ko zinda kar deta hai usko So Shaheedo ka Sawab milta hai,*
*★_ Hazrat Hakeemul Ummat ne farmaya - Mai'n Aurto'n se Darkhwast karta hu'n k unko chahiye k Mardo'n ko Rasmo se Roke, unka Rokna bahut moassir hai, Ek to is Vajah se k in Rasmo Rivaaj ki Asal baani Wohi hai'n , Jab ye khud Rukengi aur Mardo'n ko Rokengi to koi bhi Rasmo Rivaaj na hoga, iske alawa unka Lab v Lehja aur unka Kalaam behad Moassir hota hai, Unka Kehna Dil me utar jata hai, isliye Agar ye Chahe'n to bahut Jald Rok Sakti hai'n,*
*®_( Attablig Dawaul Uyoob-99)*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ko Aham Nasihate'n:-*
*★_(1) Sabse Pehle Apne Aqeede Theek karo aur Zaroori Zaroori Masle Seekho aur Bahut Ahatmam se un Maslo Ki Pabandi Karo,*
*_(2) Har Baat me Rasulallah ﷺ ke Tareeqe par Chalne ka Ahatmam karo isse Dil me bada Noor paida hota hai,*
*_(3) Shirk Ki Baato ke Paas mat jao, Faal mat khulwao,*
*"_(4) Aulaad Ke Hone ya Zinda rehne Ke Liye Tone Totke mat karo,*
*"_(5) Buzurgo ki Mannat mat maano Sirf Allah Se Duao'n ke Zariye Maa'ngo,*
*★_ (6) Shari'at me Jisse Parda hai Chahe wo Peer ho Chahe kesa hi qareebi Rishtedar ho jese Dever, Jeth, Khala ya Mamu ka Ya Fufi ka beta ya Behnoi ya Nandoi ya Moo'nh bola Bhai ya Moo'nh bola Baap, inse parda karo,*
*_ (7) Khilafe Shari'at Libaas mat pehno Jese Esa Kurta k Jisme pet peeth ya Kalaai ya Baazu khule ho'n, Ya Esa Bareek kapda Jisme Badan ya Sar ke Baal Jhalakte ho'n Ye Sab Chhod do,*
*"_(8) Lambi Aasteeno ka aur Neecha aur Mote kapde ka ( jisse badan na jhalke ) Libaas banao, aur Ese Kapde ka Dupatta ho aur Dupatta dhyan kar ke Sar se mat hatne do, Haa'n Ghar me agar khali Aurte'n ho'n ya Apne Maa'n Baap aur Haqeeqi Bhai vagera ke Siva Ghar me Koi aur ( Yani Na Mehram ) na ho to us Waqt Sar se Kholne me Dar nahi,*
*★_ (9) Kisi Ki Taak Jhaa'nk mat karo,*
*"_(10) Koi kaam Naam ke Waaste mat karo,*
*"_(11) Kosne aur Taana dene aur Geebat se Zuban ko bachao,*
*"_(12) Paancho Waqt Namaz Awwal Waqt padho aur Ji laga kar thehar Thehar kar padho, Ruku Sajda Achchhi Tarah karo,*
*★_(13) Agar Tumhare Pass Zever Gota Lachak vagera ho to Hisaab kar ke Zakaat nikalo,*
*"_(14) Khawind Ki Tabedari karo, Uska Maal Usse Chhipa Kar kharch mat karo, Ghar ka Kaam khaas kar Apne Shohar Ki Khidmat karna ibaadat hai,*
*"_(15) Gaane bhi na Suno,*
*★_(16) Agar Tum Qur'an Padhi hui ho to Rozana Qur'an padha karo,*
*"_(17) Jo Kitaab Padhne ya dekhne Ke liye Lena ho pehle Kisi Moatbar Aalim ko dikhla lo, Agar Wo Sahi batlaye'n to khareed lo varna mat lo,*
*"_(18) Agar Koi Shakhs koi baat Tumhari marzi ke khilaaf kare to Sabr karo, Jaldi se kuchh kehne Sunne mat Lago, khaas kar Gusse ki Haalat me bahut Sambhla karo,*
*★_(19) Apne ko Sahibe Kamaal ( Yani buzurg aur bada ) mat Samjho,*
*"_(20) Jo Baat Zubaan se kehna chaho pehle Soch liya karo, Jab Khoob itminaan ho jaye k isme koi kharabi nahi aur ye bhi maloom ho jaye k isme koi Deen ya Duniya ki Zarurat hai ya fayda hai, Us Waqt Zuban se nikalo,*
*"_(21) Kisi bure Aadmi ki bhi Burayi mat karo, na Suno,*
*★_(22) Kisi Musalman ko Agarche wo Gunehgar ya Chhote darje ka ho Haqeer mat Samjho,*
*"_(23) Maal v izzat ki Hirs Lalach mat karo,*
*"_(24) Bina Zarurat aur befayda Logo'n se Zyada mat Milo, aur jab milna ho to khush Akhlaqi se milo, aur jab kaam ho jaye to unse alag ho jao,*
*"_(25) Baat ko banaya mat karo Balki jab Tumko Apni galti maloom ho jaye foran iqraar kar lo Allah per bharosa rakho aur usse Apni Haajat arz kiya karo aur Deen per qaa'im rehne ki Duae'n karo,*
*®_ ( Qasdul Sabeel-15/37)*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ki islaah Ke Tareeqe:-*
*★_ (1) Aurto'n Ki Tamaam Kharabiyo'n Ki Asal Jad aur Buniyad Ek hi Amr hai Agar uski islaah ho jaye to Sab baato ki islaah ho jaye, Wo ye k Aaj Kal Befikari ho gayi hai, Agar har Amr me Deen ka khayal rakha jaye k Ye kaam jo hum karte hai'n Deen ke muwafiq hai ya nahi to in sha Allah Chand Roz me islaah ho jayegi,*
*"_(2) islaah ka Tareeqa gor se sunna aur Samajhna chahiye aur islaah ka Tareeqa ilm v Amal se murakkab hai aur ilm yahi nahi hai k Qur'an Majeed ka Tarjuma padh liya ya Tafseer padh li balki kitaab wo padho jisme Tumhare Amraaz ka bayan ho, ye to ilm ka bayan hua,*
*★_(3) Aur Amal Do hai'n, Ek to ye k Zubaan rok lo, Tumhari Zuban bahut chalti hai, Tumko koi bura kahe ya bhala kahe Tum hargiz mat bolo, is Tarah karne se Hasad vagera Sab jate rahenge aur jab Zubaan Rok li jayegi to Amraaz ke Asbaab bhi Kamzor ya Door ho jayenge,*
*★_ (4) Doosra kaam ye hai k Ek Waqt Muqarrar kar ke ye Socha karo k Duniya kya cheez hai aur ye Duniya chhoot Jane wali hai aur maut ke baad jo Umoor pesh aane Wale hai'n Jese Qabr, Munkar Nakeer ka Sawal aur uske baad qabr se uthna aur Hisaab v Kitaab aur Pul Siraat ka chalna, Sabko Tafseel ke Saath Rozana Socha karo, isse Hubbe Jaah, Hubbe maal Yani Bada banne ki khwahish aur maal ki muhabbat aur Takabbur, Hirs, Geebat, Hasad vagera Sab Marz jate rahenge,*
*★_ Garz ilaaj ka haasil do juz hai'n, Ek ilmi Doosra Amali, ilmi ka Haasil ye hai k Qur'an ke baad Esi Kitaabe padho Jisme Masa'il ke Saath Dil ki Bimariyo'n Maslan Hasad, Takabbur vagera ka bhi bayan ho, Kam se kam Bahishti Zever hi ke Das Hisse padh lo,*
*"_ Aur Amali Juz ka Haasil Do Cheeze hai'n, Zubaan ko Rokna aur Muat ka Muraqba,*
*★_Agar Mumkin ho to Kisi Aalim se Sabaq Thoda thoda padha karo Agar ghar me Aalim mojood ho varna Ghar ke Mardo'n se Darkhwast karo k wo kisi Aalim se padh kar Tumko padha Diya kare, magar padh kar band kar ke mat rakh dena balki ek Waqt muqarrar kar ke Hamesha isko khud bhi padhti rehna aur Doosro ko bhi Sunati rehna, Mai'n Vaada karta hu'n k is Tareeqe se in sha Allah bahut jaldi islaah ho jayegi,*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ko Mard banne Ki Tamanna Karna :-*
*★_ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne Dua ki thi aur farmaya tha Kaash hum to Mard hote k Mardo'n ke Mutalliq Jo Faza'il hai'n Wo Humko bhi Haasil hote, Allah Ta'ala ne isse mana farmaya aur Ye Aayat Naazil farmayi ( Surah Nisaa-32):-*
*: وَلَا تَتَمَنَّوْاْ مَا فَضَّلَ ٱللَّهُ بِهِۦ بَعْضَكُمْ عَلَىٰ بَعْضٍۢ ۚ,*
*"_ Khulasa Aayat ka ye hai k Jo Faza'il Fitri aur Gair Akhtyari hai'n Jinke Haasil karne me Koshish kar koi dakhal nahi Unki Tamanna mat karo aur jo Cheeze iktsaab se Talluq rakhti hai'n Yani Apne Akhtyar se jo Faza'il Haasil kiye ja Sakte hai'n wo Haasil Karo,*
*★_ Pas ye Tamanna Karna k Hum mard hote, Khuda per aitraaz karna hai k humko Aurat kyu banaya, Jisko jesa bana diya uske liye Wohi behtar hai,*
*★_ Tumhare Zimme Sirf Ghar ke kaam hai'n aur Mardo'n ke Zimme bahut kaam hai'n, Safar karo, Tijaarat karo, Rozi Roti Haasil Karo, Tamaam Duniya ke bakhede Mardo'n ke Zimme hai'n, Juma, Jama'at, Deen ki isha'at v Tableeg Sab Mardo'n ke Zimme hai, Tamaam Ahlo Ayaal ka kharch unke Zimme hai, Tumhare Zimme ye Cheeze nahi hai'n aur isiliye Tumhara hissa bhi Aadha hi muqarrar hua hai, Balki ye bhi Tumhare liye zyada hi hai, isliye k Tumhare Zimme kisi ka kharch nahi Hattaki Apna bhi nahi Wo bhi mard ke Zimme hai, Tumhare liye to bahut Asaani hai,*
*★_ Pas Aurat hona Tumhara Mubarak ho gaya, Kya karogi Darjo ko le kar bas Nijaat ho jaye Ganimat hai, Agar Saza na ho to bhi behtar hai, Baqi Agar Tum Darjo ke kaam karogi to Darje bhi mil jayenge, Lekin ye zaroori nahi k Tum Ambiya se badh jao, bahar haal Tumko kaam bahut kam bataya gaya hai isliye Tum khush raho aur Mardo'n per Rashk na karo, na Mard banne ki Tamanna karo,*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n ki Ek Badi Khoobi:-*
*★_ Aurto'n me Tareef ki Baat ye hai k Unko Khuda aur Rasool Ke Ahkaam me Shub'ha nahi hota, Jab Sun lengi k Ye khuda aur Rasool ke Ahkaam hai'n Gardan jhuka dengi Chahe Amal ki Tofeeq na ho lekin usme Shak v Shub'ha aur uski Vajah illat ka Sawal unki Jaanib se nahi hota, Ba Khilaaf Mardo'n ke k unme is tarah ita'at ka maadda kam hai,*
*★_ Khaas kar Aaj kal to itni Aqal Parasti balki Pet paalne ki fikr Gaalib hui hai k Har baat ki vajah poochhte hai'n, Apni Aqal se Har Masle ko Jaanchte hai'n aur usme Raay Zani karte hai'n k Aqal ke muwafiq hai ya nahi aur Aurto'n ki Chahe Samajh me aaye ya na aaye Lekin wo Tasleem kar Lengi,*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ko ilme Deen Padhane Ka Fayda :-*
*★_ Mai'n Qasam Kha kar kehta hu'n k Aurto'n ko Deen Ki Taleem de kar to dekho, isse unme Aql v Faham v Saliqa aur Duniya Ka intezam bhi kisi qadar paida hota hai, Jin Aurto'n ko Deen ki Taleem Haasil hai Aqal v Faham me Wo Aurte'n Kabhi unka Muqabla nahi kar Sakti Jo M.A B.A ho rahi hai'n, Haa'n Behaya'i me Wo Zaroor unse badh jaye'ngi aur Baate banane me bhi Angrezi padhne Waliya'n Shayad badh jaye'ngi magar Aql ki baat Deendaar Aurat hi ki zubaan se zyada niklegi,*
*★_ Jiska Dil Chahe Tajurba kar ke dekh le k ilme Deen ke barabar Duniya bhar me koi Dastoore Amal aur Koi Taleem Sha'istgi aur Tehzeeb Saliqa nahi Sikhlata, Chuna'che ek wo Shakhs lijiye Jis per ilme Deen ne poora Asar kiya ho aur Ek Shakhs wo Lijiye Jis per Jadeed Tehzeeb ne poora Asar kiya ho, Fir dono ke Akhlaaq aur Ma'ashrat aur Maamla muwazna kijiye to Aasman v Zameen ka farq payenge,*
*★_ Mard Aurto'n ki Taleem Apne Zimme hi Nahi Samajhte, Hala'nki Mardo'n per Waajib hai k unko Ahkaam batlaye'n, Hadees me hai k Tum Sab Zimmedar ho Tumse Qayamat me Tumhari Zimmedari ki Cheezo se Sawal kiya jayega,*
╥────────────────────❥
*⊙_Aurto'n Ko Deeni Taleem na dena Zulm hai:-*
*★_ Mard Apne Khandaan me Apne Mutalliqeen me Haakim hai, Qayamat me puchha jayega kya Haq ada kiya, Mahaz Naan Nafqa hi se haq ada nahi hota kyunki ye Khana pina Duniya ki Zindgi tak hai, Aage Kuchh bhi nahi, isliye Sirf is per iktifa karne se Haq ada nahi hota, Chuna'che Haq Ta'ala ne Saaf Lafzo me irshad farmaya k Ey imaan Walo! Apni jaano ko aur Apne Ahlo Ayaal ko Dozakh se bachao yani Unki Taleem ki Fikr karo, Huqooq E ilaahi Sikhao, Unse Tameel bhi karao, to Ghar Walo ko Dozakh se bachane ke Ma'ani yahi hai k Unko Tambeeh karo,*
*★_ Sach To ye hai k Mardo'n ne bhi Deen ki Zarurat ko Zarurat nahi Samjha, Khana zaroori, Fashion Zaroori, Naamwari zaroori, Magar Gair Zaroori hai to Deen, Duniya ki zara sa Nuqsan aur kharabi ka khayal hota hai aur ye nahi Samajhte k Agar Deen ka Nuqsan aur kharabi Pahu'nch gayi to kesa bada Nuqsan hoga, Fir Agar wo Magfirat E imaan Ki Had me hai tab to Chhutkara bhi ho jayega magar Nuqsan ( Azaab ) fir bhi hoga chahe Daaymi na ho aur Agar imaan ki had se bhi nikal gayi tab to Hamesha ka marna ho gaya aur Tajjub hai k Duniya ki baato se be fikri nahi hoti magar Deen ki baato se kis tarah be fikri ho jati hai,*
*★_ Ab to Haalat ye hai k Ghar ja kar Sabse pehle Sawal karte hai'n k Khana paka ya nahi ? Agar Khana Tayyar hua aur Namak Tez ho gaya to Ab ghar Walo per Nazla utar Raha hai, Garz Aaj kal Mardo'n ko na Aurto'n ke Deen ki fikr hai na Duniya ki fikr hai, Unko Jaahil bana kar rakha hai, Yaad Rakho ye bada Zulm hai jo Tumne Aurto'n per kar rakha hai, Hume Chahiye k khud bhi kaamil bane aur Aurto'n ko bhi Kaamil banaye'n, Jiska Tareeqa Allah Ta'ala ne is Aayat me bayan farmaya hai k pehle ilm E Deen Haasil Karo fir Amal ka Ahatmam karo,*
*★_ Khulasa ye hai k Bada Chhote ka nigra hota hai aur usse Baaz Purs hogi to Jis Tarah mumkin ho Aurto'n ko Deen Mard khud Sikha de'n Ya koi Aurat Doosri Aurto'n ko Sikha de aur Sikhane ke Saath unko paband bhi bana de, iske bager Bara'at ( Nijaat) nahi ho sakti,*
╥────────────────────❥
*⊙__Ladkiyo'n aur Aurto'n ko Aalim Course Karana :-*
*★_ Hazrat Hakeemul Ummat ne farmaya - Mai'n Aurto'n ki Taleem ka Mukhtalif nahi, Magar ye kehta hu'n k Tum unko Mazhabi Taleem do aur zyada Himmat ho to Arbi Uloom ki Taleem do aur iske liye zyada Himmat ki Qaid isliye hai k Arbi ke liye zyada Faham aur zyada Mehnat ki zarurat hai,*
*★_ Magar Aaj Azaadi Ka Zamana hai, Har Ek khud Mukhtar hai, Chuna'che Aurte'n bhi kisi baat me Mardo'n se pichhe rehna nahi chahti, Har ilm v fun ko Haasil karna chahti hai'n,*
*★_ Zaroori Nisaab ke baad Agar Tabiyat me Qabiliyat dekhe'n to Arbi ki Taraf Mutavajjah kar de'n Taaki Qur'an v Hadees v Fiqha Asli Zubaan me Samajhne ke Qabil ho jaye'n aur Qur'an Ka Khali Tarjuma jo Baaz Ladkiya'n padhti hai'n mere khayal me Samajhne me zyada Galti karti hai'n, isliye Aksar ke liye munasib nahi,*
*®_ ( islahi intekhab -1/273)**
╥────────────────────❥
*⊙__ Ladkiyo'n Ko Hifz E Qur'an Ki Taleem :-*
*★_ Ladka ho ya Ladki Jab sayane ho jaye'n Unko Deen padhaye'n, Qur'an Shareef badi cheez hai, Kisi Haalat me Tark na karna chahiye, Ye Khayal na kare'n k Waqt Zaaya hoga, Agar Qur'an Shareef poora na hua Aadha hi ho ye bhi na hua khair ki Taraf se Ek hi Manzil padha di jaye, isme Chhoti Chhoti Soorte'n Namaz me kaam aayengi,*
*★_ Ek Manzil padhane me kitna Waqt kharch hota hai ? Quran Paak ki ye bhi Barkat hai k Hafize Qur'an ka dimaag doosre Uloom ke liye esa munasib ho jata hai k Doosre ka nahi hota, Ye Raat Din ka Tajurba hai,*
*★_ Aurto'n ko Konse Uloom aur Kitaabe padhayi jaye ? Mai'n kehta hu'n, Unko Mazhabi Taleem dijiye Fiqha padhaye'n Tasawwuf padhaye'n, Jisse unki Zaahiri Baatini islaah ho, Aurto'n ke Liye to bas Esi Kitaabe Munasib hai'n Jinse Khuda ka khof, Jannat ka Shoq, Dozakh se Dar aur Khof paida ho, iska Asar Aurto'n per bahut Achchha hota hai,*
*★_ isliye Mai'n fir kehta hu'n k Aurto'n ko Wo Taleem jisko purani Taleem kaha jata hai, Ba Qadre kifayat Zaroor dena chahiye, Wohi Taleem Akhlaaq ki islaah karne wali hai, Jisse unki Aakhirat aur Duniya Sab Durust ho jaye, Aqaa'id Sahi ho'n, Aadaat durust ho'n Mamlaat Saaf ho'n, Akhlaaq Pakiza ho'n !*
*®_ ( At Tableeg -27263)*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ka Course aur Nisaab E Taleem:-*
*★_ Zaroori hai k Aurto'n ki Taleem ka Course kisi muhaqqiq Aalim se Tajveez karao apni Ray se Tajveez na karo, Ladkiyo'n Ke liye Nisaab E Taleem ye hona chahiye k Pehle Quran Majeed Hattal imkaan Sahi padhaya jaye, Fir Deeni Kitaabe Asaan Zuban me jinme Deen ke Tamaam Ajza ki Mukammal Taleem ho, Mere Nazdeek Bahishti Zever ke Daso Hisse Zarurat Ke liye kaafi hai'n,*
*★_ Bahishti Zever Ke Akheer me mufeed Risalo ka naam bhi likh diya gaya hai Jinka padhna aur muta'la karna Aurto'n ke liye mufeed hai, Agar Sab na padhe'n to Zaroori miqdaar padh kar baqi ka muta'la Hamesha rakhe, Mufeed Kitabo ke muta'le se bhi gaafil na rahe'n,*
*★_ Aurto'n ke paas Esi Kitaabe Pahu'nchao jinme Deen ke poore Ajza se kaafi bahas ho, Aqaa'id ka bhi Mukhtasar bayan ho, Wazu aur Paki NaPaaki ke bhi Masa'il ho'n, Namaz Roza Hajj Zakaat Nikaah, Khareed Farokht ke bhi Masa'il ho'n, islahe Akhlaaq ka Tareeqa bhi Mazkoor ho, Asaab aur Saliqa v Tehzeeb ki baate bhi bayan ki gayi ho'n, Ye baat Mardo'n ke Zimme hai, Agar Wo isme Kotaahi karenge to unse bhi Muwakhza hoga _,*
*®_ Huqooqul Zojain-102,*
╥────────────────────❥
*⊙__Aurto'n Ko Duniyavi Funoon aur Dastkari Ki Taleem ki ijazat hai:-*
*★_ Aurto'n Ke Liye Duniyavi Funoon me se Ba Qadre Zarurat likhna aur Hisaab aur Kisi qism ki Dastkari ye munasib hai balki Aaj kal Zaroori hai k Agar Kisi Waqt koi Sar Parast na rahe to izzat ke Saath chaar paise kama Sake,*
*★_ Masturaat Shehro me Jo Ye Rivaaj hai k Ladkiyo'n ko Mard Teacher Ghar per aa kar padhate hai'n, isko Sakhti se band kar dena chahiye, Sunne me baar baar aata hai Aaj kal k fala'n Aurat bhaag gayi aur Kal fala'n ki Beti bhaag gayi, Ye Sirf iska Natija tha k Aurto'n ko padhane ke liye Mard Teacher Ghar per aate they, To ye hargiz nahi hona chahiye,*
*★_ Apni Aurto'n aur Ladkiyo'n ko Azaad Bebaak Modern Aurto'n se bhi hargiz Taleem nahi dilana chahiye aur ye Tajurba hai k Hum Sohbat ke Akhlaaq v Jazbaat ka Aadmi per zaroor Asar hota hai, is Soorat me Wo Azaadi aur Bebaaki un Ladkiyo'n me bhi aayegi,*
*★_ isi Tarah Agar Mam Teacher Esi na ho lekin Hum Sabaq aur Maktab ki Ladkiya'n esi ho'n tab bhi Unki Sohbat ka Asar hoga,*
*★_ Aur meri Raay me Sabse bad kar Jo Sifat Aurat ki hai wo Haya aur inqibaaz Taba'i hai, isi me Tamaam khair hai Agar ye na raha to fir usme koi khair na rahi,*
*"_. Alhamdulillah Post Mukammal hui _,*
*📗 Aurat Ki islaah Ki Roshni _,*
╥────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/DAloyOp8VLHBqfy4b0xcnE
*👆🏻 What's app All Post Ke liye Join Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/HWzZMSYtDIk8fIkxDU7zHB
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
0 Comments